Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

.
Moderator
2,376
1,850
143
Kahani ke kuchh ansh (Saar Sankshipt)


Sarita JEEWAJ JYOTI HOSPITAL ke Operation Teater Ke parisar me pareshani ki halat mein yahan se waha chakkar kaat rahi thi. Uske Sharir par khaki rang ki Vardi thi aur chehare par Pasina Tha. Uski aankhhe Aanshuo se bhari hui thi. Pasine se uski khaki Vardi Bheegkar Uske jism se chipak gayi thi. Vardi par jagah jagah khoon laga huwa tha, Lekin use is baat ka hosh nahi tha. Wahi paas ki bench par 2 police wale aur bhi baithe huwe the. Jo Sarita ko Idhar Udhar Chakkar lagate huwe dekh rahe the. Wo kabhi kabhi Apni Hatheli Maslne lagti to kabhi kabhi Apni Mutthiyan bheej leti. Uske chehre ke bhav Har second badal raha tha. Paas baitha police wale se jab ye na dekha gaya to unme se ek ne Sarita se kaha.


Police 1- Madam Aap pareshan mat hoiye. Aapke bhaiya ko kuchh nahi hoga. Wo bilkul thik ho jayenge. Aap himmat se kaam lijie madam.

Sarita- Kaise Himmat se Kaam loon main haan kaise himmat se kaam loon. Main kaisi bahan hoon. Maine apne inhi hantho se apne bhaiya ko goli mari. Jis bhaai ke hantho me har saal rakhi bandhti thi, jiski salamti ki bhagwaan se duwa mangti thi. Usi bhaai ko maine apne inhi hanto se shoot kiya hai. Jis bhaai ko dhoondhne ke liye maine kya nahin kiya. jis bhaai se milne ke liye din-raat main thik se soyi nahin. usi bhaai ko maine apne inhin hanthon se goli mari hai. Main bahan kahlane layak nahi hoon. Bahan ke naam par kalank hoon main.


Itna kahkar Sarita ghutanon ke bal jameen mein baith gayi aur jor jor se rone lagi. Ye dekhkar ek police wala uske paas aaya aur uske kandhe par apna hath rakhkar kaha.


Police 2- Nahi madam. Aap aise mat roiye. Aap chup ho jaiye. Aapne kuchh galat nahi kiya. Aapne apna Farj nibhaya hai.

Sarita- Are aisa farj kis kaam ka Jisko nibhane ke liye mujhe apne haantho se apne jaan se pyaare bhaiya ko goli maarni padi. Dhikkaar hai mujhe apne aap par. Agar mere bhaiya ko kuchh ho gaya to main khud ko kabhi maaf nahin kar paungi. Mar jaungi main.


Tabhi hospital ke bahar ek auto aakar rukta hai us auto se Auto driver, ek mahila aur ek ladki utarkar bhaagti hui Hospilat me aati hai, Mahila ne aate hi Sarita ke gal par ek jhannatedar thappad mara aur rote huwe bolne lagi.


Mahila- Ye kya kiya Sarita tumne Ye kya kar diya. Mere bete ko maar diyaa tumne. Apne bhaai ko goli maar di tumne. Meri mamta ka khoon kar diya tumne. Meri Khokh ujaadane ki koshish ki hai tumne. Are wo mera beta hi nahin tera bhaai bhi hai. Aur tune apne bhaai ke upar hi goli chala diii. Agar mere bete ko kuchh ho gaya na Saritaa to main tujhee jeewan bhar maaf nahi karungii.

Auto Driver- Ye kya kah rahi hoo tum bhagyawaan. Tumhe to apni beti par garv hona chahiye ki wo kitni bahadur hai. itni kathinaiyon aur Pareshaniyon ke bawjood bhi wo apne Farz aur Sachhai ke raaste se nahi bhakti. Usne apne Farz aur rishte me farz ko ahamiyat di. Aur tum usko hi dosh de rahi ho. Ek baar pahle ye to jaan leti ki Sarita ne aisa kyon kiya. Mujhe Sarita ne phone karke pahle hi sab kuchh bata diya tha.

Mahila- Are aisi kaun si baat ho gayi jo isne mere bete ko goli maar di. Are wo iska bhai hai. Jiski yaad mein din raat roti rahti thi. Jisko kaha kaha nahin dhoondha hamne. Kam se kam ek baar ise apne bhaaii se baat to karni chahiye thi. Lekin nahin ab to ye inspector ban gai hai na to apne man ka hi karegi ye. Tumne bahut galat kiya hai Sarita. Main tujhe kabhi maaf nahi karungi.

Ladki- Ye kya bol rahi ho mummy. Aap didiya ko dekho. Inko dekhkar aapko lagta hai ki inhone Jaanbujhkar bhaiyaa par goli chalai hai, bhaiyaa ko jaan se marne ki koshish ki hai. Are Bhaiya ko sabse jyada pyaar didiya hi karti hain. Fir bhi aap aisa bol rahi hain. Are kuchh to majboori rahii hogii didiya ki. Mujhe apniii didiya par puraa bharoshaa hai. Didiya koi galat kaam karr hii nahii sakti.


Itna kahkar wo ladki jakar Sarita ke gale lag jati hai. Sarita apni bahan ke gale lagkar phoot phoot karr rone lagti hai. Tabhi Opration Teater ka darwaza khulta hai aur doctor bahar aate hain aur jo batein batate hain. Use sunkar sabhi rahat ki sans lete hain.


Doctor- Ghabrane ki koi baat nahi hai. Mareej ko do goli lagi thi. Hamne dono goli nikal di hai aur ab mareej khatare se bahar hai. Abhi unhe injection de diya hai. To abhi wo aaram kar rahe hain. Neend se jaagne ke baad aap sab log unse mil sakte hain.


Itna kahkar doctor waha se chale jate hai. Sarita air uske gharwale bahar lagi bench par manish aur hatash hokar baith jate hain.



Sath Bane Rahiye.
nice update, sarita phansi farz aur rishte ke bech , dekhte hain aage kya hota h
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
Kahani ke kuchh ansh (Saar Sankshipt)
kahaanee ka sankshipt parichay hamen bataata hai ki aik mahila Police Officer, Sarita, ne apne sage bhaee ko ghaayal kar diya hai... kaaran agyaat... romaanchak shuruaat...
Parivaar ke any sadasyon ko bhee aisa hone ke vaastavik kaaran ke baare mein pata nahin hai!!!

hmm... bhaee bach gaya he...

Dilchasp baat yeh he ki romaanchakaaree tadke ke saath aik romantic kahaanee shuroo hui he... yeh utsaah ke level ke saath-saath yeh jaanane kee utsukata bhee badhaata hai ki aage kya hoga... aur ye sab hua kesse...

lekhak aur samagr kahaanee ke baare mein kuchh shabd:

Jis tarah se kahaanee ko prastut kiya gaya hai woh lekhak ke mahaan lekhan kaushal ko darshaata hai... kahaanee ka ek nishchit kathaanak hai... Paatr majaboot pratyaashit bhoomikaon ke saath ubhare hain.
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
धन्यवाद आपका महोदय।।
तब तो शायद आपको निराशा ही हाथ लगेगी, क्योंकि इस कहानी में शुद्धता है 100 फीसदी शुद्धता है।
इरोटिका और सेक्स का दूर दूर तक कोई संबंध नहीं है इस कहानी का।

मेरी मस्त बहने पहले पूरा पढ़ लीजिए।। उसमे सबकुछ मिलेगा आपको।।
mujhe lagta he ki aap ne meree tippaniyon ko dhayaan se nahin padhaa!!!!

Saadar...
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
Yeh mera mannana he ki aik romantic kahaanee erotica se rahit honee chaahiye...

Kahaanee ke kathaanak kee kisee bhee aavashyakata ke kaaran, yadi irotika hona jaroori ho to na to us par adhik jor diya jaana chaahiye aur na hee is men kahaanee ke pramukh pratishat ke roop shaamil kiya jaana chaahiye...

Saadar...
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
UPDATE- 01
Aik gareeb parivaar, Aik beta do betiyaan...
Mata-pita ka apne bachchon ke prati jimmedaar aur santulit ravaiya dikhaiye deta he...

Abhishek is bhag ka focus raha ... use hinsak pravrtti vaale bachche ke roop mein prastut kiya gaya hai lekin any vishayon kee tulana mein drawing ke prati bahut jhukaav hai... us ki drawing kaushal achchhe hain lekin vah abhee bhee nausikhiya hai ... krodh niyantran ke saath samasyaen hain .. us ke pita ka yeh kahna ke us ne kisee se jhagada kiya ho ga... ishara he ke Abhishik ka hinsik vyavahaar aage chal aur badhhe gaa aur us ke liye aur parivaar ke liye samasyaen paida karega.

Adbhut lekhan kaushal... kahaanee ka kathaanak bhee aashaajanak prateet ho raha he...
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
UPDATE- 02
phir se update ka focus he Abhishek...

Abhishek par atirikt dhyaan de rahee hai aanand kee maan... kya woh apnee Maa kee madad ke bina taiyaar nahin ho pata school ke liye...???

Abhishek ko ek aise bachche ke roop mein dikhaaya gaya hai jisakee drawing ke prati vishesh ruchi hai aur usakee bahanen sabhee vishayon mein uchit ruchi letee hain... kya use vyavahaar sambandhee samasyaon ke saath koee maanasik samasya bhi hai...?? Iss baar to Abhishek ko chhod diya he Principal ne... ab aage kya hoga...???

Abhishek ke pita bhi chintit hein...

In sabhee savaalon ke javaab kee prateeksha mein aage badhte hein...

Adbhut lekhan kaushal...lekhak ne jigyaasa ke level ko saphalataapoorvak banae rakha hai...
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
UPDATE- 03
Is bhaag mein kahaanee aage badhee hai... bachche ab bade ho gae hain... Abhishek ne apne hinsak vyavahaar ko jaaree rakha hai... any vishay mein usakee ruchi na hone ke kaaran Board pareeksha mein fail ho gaya hai... yahaan tak ki ek saksham shikshak bhee us mein sudhaar na lasaka...

Bhaee ke lie bahan ke pyaar aur dekhabhaal ka behatareen bhaavapoorn varnan... Aanand ko apane bete ke lie sahee hee chinta hai kyonki uss ne khud kathinaiyon se bhara jeevan jiya hai... Abhishek ne vaadaa to kar liya he ke woh theek se padhe gaa... lekin kya sach mein aesa hoga ??

Adbhut lekhan kaushal... :painting:
 
expectations
23,522
15,522
143
UPDATE- 37


Rani ji ki baat sunkar Savita khush ho jati hai. fir sabhi log milkar khana khate hain. Sarita Aaj apni maan ke sath hi soyi unse lipatkar. Itne mahine baad apni maan ke aanchal me lipatkar use sukoon ki neend aayi. Uske bagal me Manisha so rahi thi. Aanand ji Nishchal ke sath uske kamre me son eke liye chale gaye.


********

Usi Raat Shahar se door Ek kamre me Bachha singh baitha huwa tha, uske hanth mein sharab ki poori bhari hui botal thi. jise wo gat gat karke khali kar raha tha.


Sharab pine ke baad usne botal ko deewar par de mara. Bachha singh ka chehra gusse me tamtamaya huwa tha. uske bagal me Kaluwa, Raka aur Shambhu bhi baithe huwe the. Bachha Singh gusse se phunfkarta huwa bola.


Bachha Singh- Thhu hai tum sab ki zindagi par salo. tum sab Ek laundiya ko thikane nahi laga paye. bahut bade gunde bane firte ho. jakar chullu bhar pani me doob maro tum sab.

Kaluwa- Aisa mat kaho bhaai. Apan bhaeje rahe do aadmiyan ke. Lekin hamka nahi maloom tha ki dono ke dono ekdam nithalle nikalenge. Ek Laundiya ko nahi maar payenge.

Bachha singh- Raghu Aa Raha hai 3-4 din mein. Use agar is baat ka pata chal gaya ki tu saban ek ladki ko nahi maar paye to pata nahi wo kya karega tum sab ke sath.

Rakaa- Aap shaant ho jaiye maai baap. ham kuchh karte hain kuchh.

Bachha singh- (gusse se chillate huwe) Kaa karoge….. haaann bolo.. kaaa karogeee.. bol be. Sala itne din se dekh to raha hoon ki kaa kaam kar rahe ho tum sab. Ek kaam bhi tum saban se dhang se nahi hota.

Hamari hi mati mari gayi thi jo tum logo ke bharoshe ab tak baitha raha aur tum logan ko use marne ka kam saupa. Hamhi chutiya the jo soch rahe the ki ladki hai jyada kuchh nahi kar payegi, agar bahut pahle hi uska kaam tamam kar diye hote to aaj ye din nahi dekhna padta.

Shambhu- Aap apna khoon kahe jala rahe hain maai baap. Aap shant ho jaiye. Ab to Rahu bhai aa hi rahe hain to unke aane ke baad wo sab sambhal hi lenge.

Bachha Singh- (Gusse se) Haan jab Sab wahi sambhalega to tum log kaa achaar dalne ke liye baithe ho yaha. Bhago salon. Nikalo yaha se aur jab tak main na bullaun apni shakal bhi mat dikhana mujhe nahi to tum logo ki gand me goli marunga main. Bhago yaha bujdilo.


Bachha Singh ki dutkar se Kaluwa, Shambhu aur Raka Waha se chale gaye.


******

Agli Subah Sab log sokar uthe. Kaal ki thakan ke baad sabhi ko achhi nind aayi thi. Savita ke yaha kafi chahal pahal thi. Sabhi apne apne kam me vyast the. Sarita Subah jaldi uthkar PS ke liye nikal gayi thi. Raani ji ne use jaldi ghar aane ke liye bola tha. Rani ji apna saman pack kar rahi thi ki tabhi Savi unka nashta lekar kamre me aati hai.


Savi- Good Morning Aunty ji. Aap apni packing Kyon kar rahi hain. AAp log aaj hi ghar ke liye nikal rahe hain kyaa.

Rani ji- Haan bitiya. Waha bhi ghar me tala laga huwa hai.

Savi- To bas aaj bhar ke liye aap log aur ruk jaiye. Kal aap log chale jaiyega. Sarita ko bhi aap logo ke sath rahne ka mauka mil jayega.

Raani ji- Nahi bitiya. Ab hame jane do. Bahut kaam pada hai waha bhi.

Savi- Please Aunty. Ruk jaiye na. Bas aaj bhar ke liye ruk jaiye. Aapne mujhe apne beti kaha hai to apni is beti ki baat maan lijiye Aunty ji.

Raani ji- Thik hai bitiya. Ab tum itna kah rahi ho to ham ruk jate hain, lekin aaj tak hi. Kal ham logo ko jane se nahi rokogi.

Savi- thank You Aunty ji. To Chaliye aaj Aap sab log mere sath aaj shoping karne. Isi bahane thoda ghoomna firna bhi ho jayega.

Raani ji- Thik hai bitiya jaisa tummhe thikk lage.


Raani ji se baat karne ke baad Jab Savita bahar aayi to Nishchal ne use apne kamre me aane ke liye kaha. Savita Nishchal ke kamre me pahuchi aur kaha.


Savi- haan Nishu. Kuchh kaam tha kya.

Nishchal- Mujhe aapse bahut jaroori baat karni hai di. wo main… wo main.. kah raha tha ki aaj Se Agar Sarita hamare sath rahe to aapko koi dikkat to nahi hai.

Savi- (Hairani se) Kyon Kya huwa. Koi baat ho gayi kyaa.


Fir nishchal ne Us din ki sari ghatna Savi ko bata di. jise sun-ne ke baad Savi bhi chintit ho gayi aur usne Nishchal se kaha.


Savi- Achha Isiliye tum us din der raat tak uske sath the.

Nishchal- Haan di. waise Darne ki koi baat nahi hai. PS me waise bhi uska koi kuchh nahi bigad sakta. Waise bhi main to hoon hi uska dhyaan rakhne ke liye. Lekin Use Uske quarter me khatra hai.

Savi- Baat to sach me bahut Gambhir hai, lekin mujhe ye samajh nahi aa raha hai ki Sarita ne mujhse is baat ka jikar tak nahi kiya abhi tak. Uski family bhi nahi rahti sath me uske to kam se kam mujhe to bata sakti thi na.

Nishchal- Aap to janti hi hai di ki wo kitni jiddi hai. Kisi ki nahi sunti. Maine jab use kaha ki ab se use mere ghar par rahna hai to wo mujhse bhi bahas karne lagi, bolne lagi ki wo kisi bhi kimat par hamare sath nahi rahegi.

Savi- Achha. Aane do use aaj. Main bhi dekhti hoon ki wo kaise apne man ka karti hai. Use yaha to rahna hi padega.

Nishchal- Thik hai di. Aap use achhe se samjha dena ki jid na kare. Nahi to main apni jid par aa gaya to use bahut mahanga padega.

Savi- Haan dekhi hoon main tumhe. Uske samne aate hi bhigi billi ban jate ho aur baat aise kar rahe ho jaise bahut teer mare hain Uske rahte.

Nischal- Kyaa di ab aap bhi meri khichai kar rahi hain. Jaaiye main aapse baat nahi karta.

Savi- Are nishu main to majak kar rahi thi. main use achhe se samjha dungi. Tum fikar mat karo.


Savi ki baat sunkar Nishchal bhi taiyar ho kar apne kaam par nikal jata hai. Uske jane ke baad bhi Nishchal ki baate hi Savi ke dimag me ghoom rahi thi. Use Sach me sarita ki chinta hone lagi. Usne aaj hi Sarita se baat karne ka nirnay liya.


********

Idhar Bachha Singh ka Chhota bhaai Raghu Jis kaam ke liye Shahar se bhahar gaya tha. Wo kaam poora karke wapas Samay se pahle hi laut aaya tha. Aur Sidha bachha sinhg se milne ke liye Apne Adde par pahucha. Waha par use koi nahi dikha to Usne Bachha Singh ko phone lagaya to Bachha singh ne uSe Naye address par milne ke liye bulaya.


(Raghu 27-28 Sal ka ek Gabaru Naujawan hai. Sharir se balishth , Majboot kadkathi ka aur Aakarshak Vyaktitva ka Swami hai. Lambai lagbhag 6 fit ki, Gehuwe rang ka kaafi teekhe nain kakhs wala banda hai jo apne ek hanth me hamesha gold ke kade pahanta hai. Chehre par hamesha Gambhir bhav rakhta tha.

Dekhne wale Use Bahut siddha samajhte the, lekin uske Isi gambhir bhav ke pichhe Bepanah Gussa chhupa hota tha. Wo Ek Anath tha aur Bachha Singh ko Sadak kinare mila tha jab uski umar 5 Sal ki thi. Usne Bachha Singh ko Bhaiya bol kar khana manga tha. Raghu ki baato mein aisa jadu tha ki Bachha singh ko Uspar Taras aa gaya aur usne Raghu ko apne sath Rakh liya. Tab Se Bachha Singh hi Uske liye maa Baap Bhaai Bahan Sabkuchh tha.


Raghu Bachha Singh ko bahut manta tha. Wo Uske Alawa kisi ki baat nahi suntan tha, Yahan tak ki Boss Aur Sarkaar ki bhi. Boss Aur Sarkaar Bhi Use kuchh nahi bol Pate the, kyonki Wo bhale un dono ki baat nahi sunta tha, lekin bachha singh jo kaam bolta tha, use bahut hi safai se bina koi surag chhode samay se pahle Anjaam deta tha, isliye Boss Aur Sarkaar bhi Iske murid the. Raghu ka Link bahut hi tagda tha. Wo UP ke lagbhag har jile me apna kaam karta tha. Ab Raghu desh ke bahar bhi apna dhandha badhane ki firak me tha)


Raghu- Pranam bhaiyaa. Kya ho gaya bhaiyaa. Aap yahan par kyon baithe hain. Apna purana Adda badal diya Kyaa. Udhar koi doosra sambhal raha hai kya kaam. Waise ye jagah to pahle wali jagah se bhi jyada mast hai.

Bachha Singh- Are nahi Re Raghu. Aise koi baat nahi hai. Bas Apna dhandha Abhi bahut manda Chal raha hai. Isliye Wo jagah Chhodkar Ham Log Idhar Sift ho gaye hain. Tum baitho mere paas. Ham tumko sab batate hain.


Bachha singh ne Raghu ko kheechkar apne paas baith aliya. Bachha Singh ki baat sunkar Raghu ko kuchh andesha ho gaya ki koi na koi baat hai jo usase chhupai ja rahi hai. Uske Bachha Singh ke paas baith-te huwe Poocha.


Raghu- Bhaiya. Yuun Baat ko gol gol mat ghumao aur Saf Saf batao ki baat kya hai. Aapki bato se lag raha hai ki koi badi baat hogi.

Bachha Singh- Haan Chhote. Baat to bahut badi hai. Ek Nayi Inspectorany Aayi hai……..


Iske baad Bachha Singh ne Raghu ko Sari kahani batane lagta hai jo abhi tak ghati thi. jaise jaise Bachha Singh batata ja raha tha. Waise waise Raghu ke chehre ka rang aur bhav badalta ja raha tha. Poori kahani sun-ne ke baad Raghu Gusse me chillate huwe bola.


Raghu- Ye kya Kiya aapne Bhaiyaa. Itna kuchh ho gaya aur aapne ek baar bhi mujhe batana jaroori nahi samjha.

Bachha Singh- Ham Tumhara hi intezar kar rahe the. Ham soch rahe the ki jab tun yaha aaoge to ham bataenge. Hamne tumko isliye pahle nahi bataya kyonki main nahi chahta tha ki tum jis kaam ke liye gaye huwe ho. wo kaam adhora chhod kar aao. Maine socha ki pahle wo kaam poora kar lo. Uske baad yaha ka bhi dekh lenge.

Raghu- Waha ke kaam ke chhakkar me chahe yaha ka kam chaupat hi ho jaye. Hai na bhaiyaa.

Bachha Singh- Aisi koi baat nahi hai Chhote. Hamne tumko Isliye pahle nahi bataya tha ki hamko laga tha ki ham apni taraf se Us Inspectorani ko dekh lenge, magar wo bahut chalak hai. Hamse na ho paya.

Raghu- (gusse se dant piste huwe) Tum fikar mat karo bhaiya. Ab Raghu aa gaya hai na. To ab Poora hisab kitab hoga us laundiya aur Raghu ke bich.

Bachha- Ham to ab sab tumhare upar chhod diye hain. Ab jo bhi kaam karna hai tumhe hi karna hai. Ab wo tum soch lo ki kaise karna hai. Jaise bhi karna hai tum khud sambhalo ise. Ham to ye kah rahe hain ki Ab Jaunpur bhi tumhi dekho. Lagta hai ki ab mujhme wo baat nahi rahi gayi hai Chhote.

Raghu- Nahi bhaiya Aap me abhi bhi wahi baat hai. Aap bilkul bhi fikar mat karo. Bina uska kaam tamaam kiye to hamko bhi ab chain nahi milega. Ho sakta hai Kal hi aapko ek bahut Achhi khabar sun-ne ko Mil jaye.

Bachha- Ham to kab se ye Khushi sun-ne ke liye taras rahe the. Mujhe us Khushi ka intezar rahega Chhote. tum chaho to jate huwe apne 8-10 aadmiyon ko bhi sath me le jana. tumhe apna kam karne mein aasani hogi.

Raghu- Uski jaroorat nahi hai bhaiyaa. agar un sab ke gude me itna hi dam rahta na to mujhe apna hanth is kaam me nahi dalna hota, lekin sale sab nikamme hain. ab ye sab dekh lenge aur police wale bhi dekh lenge ki main us inspectorani ka kya haal karta hoon.

in police walo ki nani na yaad dilayi to mera naan bhi Raghu nahi. Sala main kuchh kaam se bahar kya chala gaya police ke bhi pankh nikal aaye hain jo jo sab sher bane fir rahe hain.

Bachha- tum chaho to jate samay ek baar singh Sahab se mil lena. tumhari kuchh madad bhi ho jayegi.

Raghu- Wo bhala kisliye.

Bachha- Are Chhote wo jane mane nete hain. tumhari har tarah se madad kar sakte hain. hamare sath achha khasa mel-jol hai unka.

Raghu- Aapki madad ki kya us neta ne bhaiyaa.

Bachha- Nahi Chhote, Is samay chunav ka seasion hai to wo apne chunav me lage huwe hain. wo apni chhavi kharab nahi karna chahte hain na.

Raghu- To jab us neta ne aapki madad nahi ki to meri madad kya khaak karega. ye neta sale jab apno ke sage nahi hote to hamare kya honge. main kisi ke paas nahi jaunguga bhaiyaa. mujhe apna kam bakhubi karna aata hai aur uska tareeka bhi mujhe pata hai.

tabhi to maine itna khoon, kidnapping, smuggling ki. lekin aaj tak mujhe police pakad nahi paayi. kyonki use pata hi nahi hai ki Raghu dikhta kaise hai. Agar main unke samne jakar bhi baith jaun to bhi mera kuchh nahi kar sakte wo log. Isliye main apne tareeke se hi kaam karunga.Aaap bas achhi khabar ka intezar karo bhaiya. ab main chalta hoon.


Itna kahkar Raghu Apna hanth hawa me lahrata ek hanth se doosre hanth me pahne kade ko pakadkar upar ki taraf karta ghumata huwa waha se chala gaya. uske jane ke baad Bachha singh khushi khushi apne man me sochne laga.


Bachha Singh- Bahut fudak liya tumne Inspectorani. Tumko pyaar ki bhasha samajh me nahi aati na ab dekhna mera bhaai tumhari kya halat karta hai. ab jo bhi hoga uski jimmedar tum khud hogi. sirf tum jimmedar hogi.


Itna kahkar Bachha singh jor jor se hansne laga aur wo bhi waha se uthkar chala gaya.


*******

Idhar Savi sab ko jaldi jaldi market chalne ke liye taiyar hone ke liye bol rahi thi. Manisha ne pahle hi Sarita ko phone karke bata diya tha ki use kitne baje mall pahuchna hai. Kuchh hi der me sab taiyar hokar mall jane ke liye nikal gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nice update is Raghu se sarita ko problem ho sakti hai abhi tak uske bhai ka kuch pata na chala
 

Top