Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Member
324
1,027
93
UPDATE- 18


Subah Sarita 7 baje sokar uthi fresh hone ke baad apne liye chaai aur nasta banakar bister par baith gayi aur chaai ki chuskiya lene lagi aur sochne lagi kal ki ghanta ke baare me. Pata nahi Sarita ko kya huwa tha ki uska dimag Kaluwa aur Bachha ki taraf nahi ja raha tha. Jaise use lag hi nahi raha tha ki wo dono bhi uske khilaf aisa kuchh kar sakte hain. Achhanak chaai pite huwe wo ek jhatke se uth kadi hui. Use kuchh yaad aaye. Wo badbadate huwe boli.


Sarita- to ye sab tumne kiya hai nischal singh Rathod. Ye sab tum hi kar sakte ho. Ye tum hi ho nishchal jisne mujhe is jhoothe case me fansaya hai. Tum hi kahte the ki “tumhara PS ka record main achha nahi hone doonga. Main tumhe jyada din yaha tikne nahi doonga. Main tumse apni beizzati ka badla lekar rahunga.” To tumne itni ghatiya harkat karke mere sath apni dushmani nikali hai. Main tumhe chhodungi nahi. Tumane bahut badi galti kar di hai Nischal singh. Iski kimat tumhe chukani padegi.


(Wo kahte hain na ki jab insan par koi musibat aati hai to wo aksar dimag se sochna band kar deta hai. Yahi haal Sarita ka bhi tha. Use ulti sidhi baate yaad aa rahi thi jo nishchal ne usase kahi thi.)


Ye sab sochkar uska gussa satve aasman par pahuch gaya tha. Usne turant Mohit ko phone kiya aur Nischal ka address send karne ko kaha. Mohit ke poochne par ki unhe Sir ke Address ki kya jaroorat pad gayi. To Sarita Mohit par bhi bhadak gayi. Sarita ka garam dimag dekhkar Mohit ne Nischal ka Address Sarita ko text kar diya.


Sarita ne cup kitchen me rakha aur car ki chavi lekar Mohit ke bataye huwe Address par nikal gayi. kuchh hi der me wo Us address par pahuch gayi. Sarita ne car bahar hi khadi ki. wo apni car se utar kar dandanati hui andar ki taraf jane lagi. Aawas ke bahar surakshaguard ne Sarita ko rokte huwe kaha.


S.G. Aap kaun hain aur andar kahan ghusi ja rahi hain.


Sarita ne use apna ID Card dikhaya to SG ne use selute kiya. Sarita ne kaha.


Sarita- Mujhe Nishchal Sir se milna hai.


SG ne Sarita ko aage jane diya. Sarita aage badh gayi aur jaise hi ghar me ghusne ko hui use ek naukar dikhai diya. Sarita ne usase Nishchal ke bare me poochha to naukar ne balcony ki taraf ishara karte huwe bata diya ki nishchal waha bahithe huwe hain.


Sarita ne use Thanks bolkar balcony ki taraf chali gayi. jab wo balcony par pahuchi to usane dekha ki nishchal shan se kursi par baitha chaai pite huwe paper padh raha hai. Sarita gusse me thi hi usne uske najdeek jakar chillate huwe kaha.


Sarita- Aapki himmat kaise hui is tarah ki ghatiya nich aur giri hui harkat karne ki.


Kisi ke apne upar chillane ki aawaz sunkar usne Nischal ne jab aawaz ki disha me dekha to wo Sarita ko waha par dekh kar chauk gaya aur bola.


Nishchal- Tum. Tum yaha Kya kar rahi ho. aur tum itna chilla kyo rahi ho.


Itna kahkar nischal chaai ka cup liye huwe hi uske paas aaya. Jaise hi nischal Sarita ke kareeb pahucha. Sarita ne do jhannatedar thaappad uske galo par laga diye. Thappad Sarita ne poori takat ke sath lagaya tha. Jiski ghoonjh door tak sunai di.


Nishchal bhale hi mazboot kad kathi ka naujawan tha. Lekin Sarita ka thappad bhi bahut jordar tha. Jisne Nishchal ke jabde ko hilakar rakh diya. chaai ka cup hantho se chhootkar door jakar gira aur toot gaya. Nishchal ki aankho ke samne pal bhar ke liye to andhera hi chha gaya. Wah apne dono hanth apne galo par rakhkar sahlane laga.


Use samajh me nahi aa raha tha ki ab usne kya kar diya jo Sarita ne use thappad mara. Wo bhi Bina galti ke doosri baar. Nishchal ko Sarita ke upar bahut gussa aaya. Usne Gusse me aakar Sarita ki baanh pakad li aur use dhakelte huwe pichhe ki deewar se sata diya aur garajate huwe bola.


Nishchal- tum pagal ho kya. Dimag se khidki hui ho kya. Tumhari himmat kaise hui mujhe thappad marne ki. Aakhir tumhari problem kya hai. Jab bhi milti ho tabala samajhkar baja deti ho. Aakhir tumhein mujhse dikkat kya hai.


Nishchal ne Sarita ki baanh bahut kaskar pakadi thi. Jisase Sarita ko dard hone laga tha. To Sarita ne apne dono hanth uske sine par rakha aur poori takat se Nishchal ko pichhe ki taraf dhakel diya aur gusse me nishchal se kaha.


Sarita- Wahi to main jan-na chahti hoon. Aakhir aapko mujhse problem kya hai jo aapne mere sath aisi giri hui aur ghatiya harkat ki hai.


Sarita ki baat sunkar Nischal ne gusse se Sarita ka hanth pakada aur use modkar uski pith par laga diya. aisa karne se nischal ko Sarita ke aur kareeb aana pada. Jiske karan dono aapas me lagbhag satkar khade huwe the. Dono ki sanse ek doosre ke chehre par pad rahi thi.


Sarita ne ek baar chhutne ki koshish ki lekin Nishchal ki pakad mazboot thi, isliye wo apne aapko chhuda na saki. Dono ke chehre par gussa saff dikhayi de raha tha. Sarita gusse se bina kisi darr ke Nishchal ki aakho me aanikhe dalkar khadi hui thi. Nishchal ne Sarita ki aankho me dekhte huwe kaha.


Nischal- Tum apne aapko samajhti kya ho. tum koi top ho. aur tum mujhko kya samjhati ho ki main koi sadak chhaap gunda hoon. Ya koi sadak chap majnu hoon. Ki jab tumhara man kare aakar mujhe thappad laga deti hoo. Tumhare dimag ka ekadh nat dhila ho gaya hai kya. Jo tum paglo jaisi harkat karti rahti ho. us din market me bhi maine tumhe janboojhkar nahi chhuwa tha. Wo galti se mera hanth tumhari kamar ko lag gaya tha.

Main yahi tumhe batana chah raha tha, lekin tumne to mujhe bolne ka mauka hi nahi diya. tumne sahi galat jane bina hi mere galo ka tabla baja diya. maine didi ke kahne par tumhe maaf kar diya tha us galti ke liye, lekin tumhe to main hi dikhta hoon thappad marene ke liye. Mujhe thappad marne ke liye tum mere quarter par chali aayi. Tumhari aaj ki galti ke liye main tumhe bilkul maaf nahi karunga. Iski saza to main tumhe jaroor doonga aur har haal me doonga.

Sarita- (Nishchal ki aankho me dekhte huwe) waah waah, itna sabkuchh karne ke baad dekho kaise anjan ban rahe ho. aapka ye natak mere samne nahi chalne wala. Main achhi tarike se jaan gayi hoon ki mujhe aapne fansyaa hai aur ab aise anjan ban rahe ho aap jaise aapne kuchh kiya hi nahi. Sari galti meri hi hai jaise. Aap itni ghatiya harkat kaise kar sakte hain.

Nishchal- Apni bakwas band karo tum. Kab se sun raha hoon ki aisi ghatiya harkat main kaise kar sakta hoon. Aakhir maine kiya kya hai. Are Main us din tumse milne ke baad training ke liye Agra chala gaya tha Aur aaj subah tadke lautkar aaya hoon. Main chai ki chuski lekar apne safar ki thakaan mita raha tha Aur aate hi tumne mera Swagat thappad se kar diya. aakhir tum ye sab karke sabit kya karna chahti ho.


Itna kahkar Nischal ne Sarita ka hanth aur kaskar pakad liya aur mod diya. jisase Sarita ko dard hone laga to usne nishchal ko ghoorte huwe kaha.


Sarita- Mujhe dard ho raha hai. Mera hanth chhodo.

Nishchal- Bilkul bhi nahi chhhodunga. Bahut badi lady don samajhti ho na tum apne aapko to khud hi chhuda lo.

Sarita- Mera hanth chhodo nahi to main shor macha dungi aur logo ko bataungi ki aapne mere sath badtamizi karne ki koshish ki.

Nishchal- (hanth ko aur modte huwe). Waah Waah, Ulta chor kotwal ko date. Badtamizi maine nahi ki tumhare sath. Balki tumne ki mere sath. Ab to main bilkul bhi tumhara hanth nahi chhodunga.


Itna kahkar nischal aur bhi kareeb chala gaya Sarita ke. Sarita ne dard ke karan jor se chillana shuru kar diya to nischal ne Sarita ke munh par hanth rakh diya. ab setuation ye thi ki. Nishchal ka Chehra Sarita ke chehre se 6 inch ki doori par tha.


Nishchal ne apne ek hanth se Sarita ke ek hath ko pakadkar uski kamar par lagaya tha aur ek hanth Sarita ke munh par tha. Munh par hanth rakhen se sarita Nischal ki aankho me dekhh rahi thi aur Nischal Sarita ki aankho me. Sarsari nigah se dekhne par dono ko Sabhi premi joda hi samjhenge.


Sarita ki cheekh ne apna kam kar diya tha. Apne ghar mein ladki ki cheekh sunkar Nischal ki didi Savita ( jise gharwale pyaar se Savi kahte hain) waha par aa gayi aur in dono ko is position me dekh liya. Savita ne dono ko dekhte huwe kaha.


Savi- Ye kya ho raha hai yaha par.


Savita ki aawaz dono vastvik sthithi me aaye. Wo jis tarah se khade the uska ehsas hote hi dono asahaz ho gaye. Nishchal ne Ek jhatke se Sarita ka hanth chhod diya aur pichhe hat gaya. Sarita apne hath ko aage kar apne doosre hanth se use sahlane lagi. Sarita ka hanth sakhti se pakde jane ke karan wo laal pad gaye the. Dono chupchap apni gardan jhukaye huwe khade the. Koi jawab na milne ke karan Savita ne fir se kaha.


Savi- maine tum dono se kuchh poocha. Yaha par kya chal raha tha abhi aur tum kaun ho.

Nishchal- Mujhe nahi papa di. ye ladki pagal lagti hai. Ye pata nahi kis baat ka gussa mere upar nikal rahi hai.

Sarita- Main koi pagal nahi hoon. Aapne jo kuchhh kiya hai mere sath uske baad to gussa nahi aur bahut kuchh karna chahiye aapke sath.

Nishchal- Are yaar maine kya kiya hai. Tum baar baar mere upar aise ilzam nahi laga sakti. Main jab tumse bol raha hoon ki main Agra gaya huwa tha. Do ghanta pahle hi lautkkar aaya hoon ghar. Agar tumhe meri baat ka bharosha na ho to di se pooch lo.


Nischal ki baat sunkar Sarita ne Savita ki taraf dekha to Savita ne kaha.


Savi- Haan ye baat sahi hai. Ye 4-5 din baad Agra se Kuchh ghanta pahle hi lautkar aaya hai, lekin huwa kya hai pahle mujhe wo to batao.


Sarita- di. Inhone mujhe……

Nishchal- (baat bich me katkar) Wo tumhari di nahi hain Miss Joshi. Isliye tum meri di ko di nahi bol sakti.

Sarita- Kyon nahi bol sakti. Aapne koi patent nahi karaya huwa hai di ka. Main inhe di hi bolungi.

Nishchal- Maine ek baar bol diya na ki tum meri di ko di nahi bol sakti. wo sirf meri di hain. Tumhari nahi.

Sarita- Main inhe di hi bolungi chahe kuchh bhi ho jaye. Aapko jo bhi karna hai kar lo.

Nishchal- (gusse se) tumhari to main……..


Savita dono ki tu-tu main-main ka maza leti hui muskura rahi thi. Kuchh der inki tu-tu main-main ka chatkara lene ke baad Savita ne jhootha gussa dikhate huwe kaha.


Savi- ho gaya tum dono ka. Maine kuchh poochha hai tum dono se. lekin mujhe uska jawab abhi tak nahi mila hai

Sarita- di. Inhone mere khilaaf rishwat lene ki report darj karwai hai. Jiske base par kal mujhe jhoote case me rishwat lete huwe fansa diya hai inhone.


Sarita ka baat sunkar Nishchal uchhal pada. Aur Sarita ko ghoorne laga. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Kyaaa. Tum pagal wagal ho gayi ho kya. Tumhara dimag to thik hai na. tum kya bol rahi ho kuchh samajh me aa raha hai tumhe. Main bhala aisa kyon kaurnga tumhare sath.

Sarita- Ye sab aapne mujhse apna badla lene ke liye kiya hai. Aap hi to bol rahe the ki main tumhara PS ka record kharab kar doonga, Main tumhe jyada din PS me tikne nahi dooga, Main tumse apna badla lekar rahunga. Aur aaj aapne wo kar diya.

Nishchal- (apne sir par hanth rakhkar) He bhagwan. Main sach kahta hoon. Tumhare dimag ka nat bolt dheela ho gaya hai. Tum Sach me padhkar hi is naukari me aayi ho ya rishwat deka is naukari ko paya hai tumne.

Sarita- (gusse se) How dare you. Aap apne aapko samajhte kya hai. Kya kewal aap padhai karke aaye hain aur sab rishwat dekhar aaye hain. Maine is naukari ko pane ke liye apne Jeevan ke do sal samarpit kar diye hain aur aap mujhse aisi baat kar rahe hain.

Nishchal- Iska matlab to yahi huwa ki Selection Committee ne tumhare dimag aur tumhari kabiliyat dekhkar hi tumhe is job ke liye chuna hai to miss Joshi. Apne us chhote se dimag ka upyog kabhi kabhi Sochne ke liye bhi kar liya karo. Jab dekho tab lady don bani firti rahti ho. Tumhe lagta hai ki main itna cheep kam kar sakta hoon wo bhi tumse badla lene ke liye. mere paas bahut se raste hain tumse badala lene ke liye.


Nishchal ki baat sunkar Savita muskurane lagi. Sarita use ghoorkar dekhte huwe boli.


Sarita- Main kaise maan loon ki aapne kuchh nahi kiya hai. Mujhe to aap ke upar hi poora shak hai.

Savi- Tum dono fir se shuru ho gaye. Tum dono to ekdam tom and Jerry ki tarah lad rahe ho. tum dono ab itne bhi bachhe nahi ho ki is tarah se ladai karo. Dono kisi se kam nahi hain. Ab tum dono apni ye tu-tu, main-main band karo. Waise kya nam hai tumhara Miss joshi.

Sarita- Sarita joshi nam hai mera didi.


Sarita ki baat sunkar Savita uske paas aai aur uske galo ko sahlate huwe boli.


Savi- Bahut pyara naam hai tumhara. Chalo mere sath baitho. Maine chaai banayi hai. Tum chaai pikar jana. Tum pahli baar hamare ghar aayi ho. aur to aur ab to tumne mujhe didi bhi bana liya hai to chalo kuchh der mere sath baith kar baat hi kar lo.


Sarita Savita ki baat sunkar uske sath chali gayi. Savita ne Sarita ko apne kamre mein baithakar kitchen me chali gayi aur do cup chaai lekar apne kamre me aa gayi. ek cup Sarita ko de diya aur uske bagal me baithkar chaai ki chuski lete huwe boli.


Savi- Ab batao ki poorii baat kya hai.


Sarita ne Savita ke poochne par sari baat bata di rishwat ki complain se lekar raat me Pradhan ke chhape tak ki baat jise sunne baad Savita ne kaha.


Savi- Ye to sachmuchh bahut hi bura huwa tumhare sath. Lekin Yakin mano Nishu aisa nahi hai.

Sarita- (sochte huwe) ab ye is mamle me nishu kaha se aa gaya.

Savi- (Muskurati hui) Are main Nishchal ki baat kar rahi hoon. Ghar me wo mera bahut pyara hai main use pyaar se nishu kahti hoon. To main bol rahi thi ki main nishu ko bahut ache se janti hoon. Wo mujhse koi baat nahi chhupata. Usne aisa kuchh nahi kiya hai. Uski baat ka nahi to kam se kam meri baat ka to bharosha karo tum.

Sarita- Lekin agar Sir ne nahi kiya ye sab to fir kisne kiya ye mere sath. Kahi maine jise pakadkar jail me dala tha usne to nahi kiya ye sab.

Savi- Tum bilkul bhi pareshan mat ho. main nishu se baat karti hoon. Wo meri bat nahi talega. Main usase bolungi ko wo tumhe is case se baizzat bari karwaye. Tum fikar mat karo.

Sarita- Aap rahne dijiye didi. Wo mujhse pahle si hi gussa hain aur badla lena chahte hain. Kahi wo is case se mujhe bari karwane ki jagah fansa na de.

Savi- Tumhare paas aur koi rashta hai kya. Jisase tum is case se bach sakti ho. hai to batao aur agar nahi hai to meri baat par bharosha karo. Main tumhe vishwas dilate hoon ki tumhe kuchh nahi hoga. Main nishu se baat karti hoon.

Sarita- Thank You didi. Ab main chalti hoon. Mujhe kuchh jaroori kaam hai.

Savi- (Muskurate huwe) Galat baat hai ye Sarita. Didi ko thank youn nahi bolte. Ek kaam karo Sarita. Tum mujhe apna no. de do. Main tumhe is case ke baare me update karti rahoongi.


Sarita apna phone NO. Savita ko dek-kar nikal jati hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So itna kuch hone ke Baad sarita same mistake repeat kar rahi hai agar usey laga bhi tha ki nischal hi shayad usey fasa raha hai to bhi usey aise akar sidhe usey thappad nahi marna chahiyeta yaha wo Baat bhi kar sakti thi usse ki jo wo sonch rahi hai wo sach hai ya nahi but usne to yaha sidhe uske gaal laal kardiye kya kal ko nischal ki jagah koi aur senior officer rahega tab bhi kya sarita aise ho karegi aur karegi to samne wala Phir uske sath kya karega. Ye sab sarita ko sonchna chahiye na ki haar baar khud ko sahi samajh kar jo dil mai aya wo karde.
Overall nice update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 19


Sarita apna Phone no. Savita ko dek-kar nikal jati hai. Nishchal apni balcony par khada hokar apne galo ko sahlate huwe man me sochta hai ki badi tikhi mirchi hai ye Miss joshi to. Isase bach kar rahna padega.


Sarita ke jate huwe Nishchal dekhta rahta hai . tabhi pichhe se Savita bhi balcony par aa jati hai aur Nishchal ke kandhe par hanth rakhkar usase bolti hai.


Savi- Kya dekh raha hai Nishu. Bahut pareshan hai bechari. Isliye tujhpar gusse se chilla rahi thi. Bhool ja is baat ko bhai aur uski madam kar de.


Savita ki baat sunkar Nishchal ne Uski taraf dekhte huwe kaha.

Nishchal- Main uski Madad bilkul bhi nahi karunga. Wo jane aur uska kaam jane.

Savi- Iska matlab tum apni di ki baat nahi manoge. Maine usase promise kiya hai ki tum uski madad karoge. Manti hoon ki usne tumse chillakar baat ki, lekin wo pareshan thi bechari. Kar de na uski madad.


Nishchal- wo aapko bechari dikhti hai aur aapko kya jaroorat thi usase promise karne ki. Chalo mana ki Chillane tak to thik tha di, lekin usne to had hi kar di. Usne aaj fir se………


Itna bolkar Nishchal chup ho gaya aur apne galo ko sahlane laga. Jise dekhkar Sarita soch me pad gayi aur chunkate huwe boli.


Savi- Fir se matlab. Fir se thappad. Matlab… kahi ye wahi ladki to nahi jisne us din market me tumhe thappad mara tha. Ye ladki hi hai na. Waise tumhe bilkul sahi nam diya hai use lady don. Waise ek baat kahungi main wo ladki bilkul tumhare takkar ki hai. Bilkul nidar, nirbhik aur bahadur.


Nishchal- (munh bichkate huwe) Waise baat kya thi. Kuchh bataya usne.


Savita ne Nishchal ko poori baat bata di. jise sun-ne ke baad nishchal soch me pad gaya. Fir wo apne kamre me chala gaya aur taiyar hokar Savita se bolkar ghar se bahar nikal gaya. Sarita Ghar aa gayi thi. Uske upar case chal raha tha to wo PS nahi ja rahi thi. Wo apne kamre me baithi hui soch rahi thi ki tabhi uske phone par PS se call aaya use phone uthaya.


Savita- Hello


Udhar se bolne wale ki aawaz sunkar Sarita ke face expression change ho jate hain. PS se Nishchal ka phone tha.


Nishchal- Miss Joshi. Kya tumko budhiya ki shakal yaad hai.

Sarita- Haan.. yaad hai.

Nishchal- turant PS pahucho. Koi bahana koi argument mujhe nahi chahiye. Main tumhara boss hoon. Jitna bol raha hoon. Utna karo. Turant PS pahucho.


Nishchal janta tha ki agar Sarita ko bolne ka mauka diya to to tarah tarah ke bahane banane lagegi isliye usne use order dene ke turant baad phone kaat diya. Idhar Sarita kuchh bolna chahti thi lekin tab tak phone kat chuka tha. Use nishchal par bahut gussa aa raha tha jo usne bina baat sune hi phone kaat diya tha. Sarita ne badbadate huwe kaha.


Sarita- Pata nahi apne aapko kya samajhata hai. Hitlar kahi ka. Meri baat bhi nahi suni aur phone kaat diya. pata nahi kya kaam pad gaya ise mujhse. Kahi subah ki baat ka badla to nahi lega mujhse. He bhagwan kahan fansa diya hai tumne mujhe. Ab hukum aaya hai to jana hi padega. Nahi to wo hitlar pata nahi kya karega.


Yahi sochte huwe Sarita taiyar hokar PS pahuchti hai to Sarita ko dekhte hi Uske sath kaam karne wale Sabhi apne chair se uthkar use salute kiya. Ye dekhkar Sarita ko bahut achha laga ki kam se kam uske sath kaam karne walo ko bharosha hai ki usne koi galat kam nahi kiya hai. Sarita Nischal ka poochi to use cabin ki taraf ishara karke bataya gaya.


Sarita jab cabin me gayi to waha par Nischal Screech Artist ke sath baitha tha. Sarita ko dekhte hi wo uthkar uske paas aaya aur uska hanth pakadkar use lejakar kursi par baitha diya aur bola.


Nishchal- Screech Artist ko us budhiya ki poori details batao.

Sarita- Lekin kisliye.

Nishchal- main sahi kahta hoon. Tumhare dimag ka nat bolt dhila ho gaya hai. Kya Tum meri koi bhi baat bina bahas kiye nahi man sakti ho. ab mera dimag jyada kharab mat karo aur chupchap baithkar Screech artist ko budhiya ki poori details batao.


Sarita Nishchal ki baat sunkar chupchap Screech artist ko us budhiya ki poori details batane lagi. Kuchh hi der me Screech banker taiyar ho gaya. Nishchal ne artist ko thanks bolkar Screech lekar PS se bahar chala gaya.


Sarita bhi uske baas apne quarter par wapas aa gai. Sarita Apne aapko bekasoor sabit karne ke liye har sambhav koshish kar rahi thi. Usne yaha waha bahut hath pair mare, lekin use aisa koi surag nahi mila tha jisase wo apne apko begunah sabit kar sake. Aaj ek Hafte poora ho chuka tha. Dophar ka samay tha. Pradhan ki di hui Samay ki miyaad ke poori hone me kuchh hi ghanta ka samay shesh tha.


Sarita ko ab lagne laga tha ki uski naukari chali jayegi, kyonki Apni begunahi se jis sabut ko wah ek hafte se lagatar dhoondh rahi hai. Wah kuchh ghanto me kaise dhoondha ja sakta tha. Sarita PS bhi nahi ja rahi thi. Sarita Imandar thi ye sabko pata tha, lekin wo kahte hain na ki Jahan Aapke chahne wale hote hain waha aapke napasand bhi karne wale hote hain. To Sarita ke rishwat lene wali baat jangal me aag ki tarah sare department me fail gayi thi.


Sarita Aage aane wali musibat ke bare me soch rahi thi ki jis Naukri ke liye usne raat din ek kar diya tha wo kuchh ghanta baad use cheen li jayegi aur jo badnami hogi wo alag. Wo yahi sab sochte huwe apne kamre me chakkar laga rahi thi. Tabhi Sarita ke mobile ki ghanta baji. Usne apna phone uthaya. Jo kisi Unknown NO. se tha. Sarita ne phone uthaya.


Sarita- Hello.

Unknow- Miss Sarita Joshi.

Sarita- Ji haan. Aap kaun.

Unknow- Ji main CBI se Pradhan bol raha hoon.

Sarita- Jai hind Sir. Farmaiye Sir.

Pradhan- Jai Hind Miss Joshi. Hamne ye batane ke liye aapko phone kiya hai ki aap par lagaye gaye Sare Aarop bebuniya sabit hue hain. Aapki khilaf jitni complains thi. Sab falls thi. Isliye aap kal se Apni duty join kar sakti hain.


Sarita ne jaise hi ye khabar suni. Khushi se uchhal padi. Use to vishwas hi nahi ho raha tha ki Uske upar laga aarop bebuniyad sabit ho chuka hai. Lekin ye sab huwa kaise uske samajh me ye nahi aa raha tha. To usne Khushi se Pradhan se poocha.


Sarita- Thank You Sir ji. Maine to pahle hi kaha tha ki maine kuchh nahi kiya hai. Lekin fir bhi apne meri baat ka bharosha nahi kiya, lekin aap mujhe ye bataiye ki aapko meri baat par bharosha ab kaise ho gaya. Meri begunahi ka sabot aapko kaha se mila.

Pradhan- Dekhiye Miss Joshi. Ham Subuto ke aadhar par hi apna kam karte hain us samay aapke khilaf hamko suboot mile the. Hamne aapko range hantho pakda tha, lekin baad me hame aapki begunahi ka suboot mila isliye Aapki duty bahal ki ja rahi hai.


Sarita Abhi aur kuchh kahna chahti thi, lekin tab tak Pradhan ne phone cut kar diya tha. Phone rakhne ke baad Sarita ke chehre par Khushi saf jhalak rahi thi. Sarita ne socha ki aakhir Pradhan ko meri begunahi ka subut mila kaise. Tabhi use yaad aaya ki Hitlar (Nishchal) ne us din Screech Artist se us budhiya ka Screech banwaya tha. To kahi ye hiltar ka kam to nahi hai.


Lekin usne aisa kya kar diya ki meri begunahi ka subut lekar aa gaya. Kahi usne us budhiya ko khoj to nahi liya hai. Jise main itne din se khojne ki koshish kar rahi thi. Ab ye to PS jane ke baad hi pata chalega ki aakhir ye sab huwa kaise. Yahii sab sochte huwe aaj ka din Khushi Khushi gujar gaya. Raat me Sarita ne apne ghar me baat ki aur Khana pina karke so gayi.


Agle din subah sabere uthkar Usne Sari taiyari ki aur Nashta karke PS ke liye nikal gayi. Jab Sarita PS pahuchi to sara Staff Sarita ko dobara se dekhkar bahut khush tha. Sarita ka Sabhi ne abhivadan kiya. Jise sarita ne apna sir hilakar Sweekar kiya. Uske baad Sarita Rawat Sir ke paas gayi aur boli.


Sarita- Good Morning Sir Ji.

Rawat Sir- Are beti tum. Very very good morning . tumhe yaha dobara dekhkar mujhe bahut Khushi ho rahi hai. Mujhe pahle se pata tha ki tum begunah ho. kisi ne tumhe fansane ki koshish ki hai, lekin main tumse mafi bhi chahta hoon beti ki main tumhari koi madad nahi kar paya.

Sarita- Nahi Sir. Aap kyon mafi mang rahe hain. Aap ne hamesha mera bhala hi socha hai. Aapne to mujhe pahle se hi aagah kar diya tha iske bare me ki koi meri jhoothi complain kar raha hai. Aapse jitna ban pada aapne kiya mere liye. Isliye aap mujhse mafi mang kar mujhe sharminda mat kijiye. Lekin ek baat meri samajh me nahi aayi ki meri begunahi ka subut Pradhan Sir ko kaha mila.

Rawat Sir- Ye sab Apne Nishchal bete ne kiya hai. Usi ne din raat ek kar diya tha tumhari begunahi ka subut dhoondhne ke liye. Tumhe pata nahi hai ki tumhare naam se rishwat lene ki jitni bhi complains aayi thi wo sab farji thi. Jab Nishchal ne Sari complains ki investigation kiya to pata chala ki jis address aur jis naam se wo complains bheji gayi hain Us addres aur wo nam dono farji nikle aur waha par is naam ka koi bhi aadmi nahi mila.

Kisi ne bhi is baat ke upar dhyaan hi nahi diya ki complains falls bhi ho sakti hai. Ye to Achha huwa ki Nishchal bete ne bahut bariki se is case ko observe kiya aur usne sari sachhai samne layi. Jisase tumhari begunahi sabit ho gayi.

Sarita- Lekin meri begunahi ka suboot to vo budhii dadi thi. Jinhone mujhe is case me fansaya tha. Unke mile bina meri begunahi sambhav hi nahi thi. To kya Hitlar ne… (danto tale ungli dabakar) mera matlab hai Sir ne unko dhoondh liya hai.

Rawat Sir- Iske baare me mujhe kuchh bhi pata nahi hai beti. Ye sab Nishchal ne kiya hai to usi ko iske baare me poori jankari hogi. Achha ye sab chhodo. Tum itne din baad PS aayi ho to jao kuchh kam kar lo. Jab Nishchal aayega to usase pooch lena tum jo poochna hoga tumhe.


Rawat Sir ki baat sunkar Sarita haan me sir hilate huwe apne cabin me chali gayi aur apni chair par baithkar apne hantho me pen uthakar usko apni ungli me fansakar hilate huwe sochne lagi.


Sarita- (apne man me) Yaar ye buddhi dadi to badi shatir thi. Mujhe fansa kar kaise gayab ho gayi thi us din. Lekin is hitlar ne dadi ko dhoondha kaise. Mujhe to kahi bhi nahi mili thi wo dadi. Maine bhi to kitni koshish ki thi dhoondhne ki. Chalo jab Hitlar aayega to usi se pooch lungi ki buddhi dadi hain kaha. Waise ek baat to hai. Hitlar utna bhi bura nahi hai jitna main use samajhti hoon. Maine hi use samajhne me galti kar di. bewajah bina poori baat jane use thappad bhi mar diya. main usase mafi mang lungi. Aakhir galti to meri hi thi in sab me.


Kuchh der isi tarah sochne ke baad Sarita ne bell bajakar ek hawaldar ko bulaya aur usase Janhavi ko andar bhejne ke liye kaha. Thodi hi der me Janhavi, Ranjana aur Vikas uske cabin me aaye.


Janhavi- aapka ek baar fir se is PS me swagat hai madam, Ham logo ne aapko bahut miss kiya. Hame to aapke upar poora bharosha tha ki aapne kuchh bhi nahi kiya hai. Lekin ham log aapki madad nahi kar sakte the. Iske liye sorry.

Sarita- Its okk Janhavi. Jab maine khud itni daud dhoop ki aur mujhe kuchh nahi mila to main tum logo ko kyon takleef deti iske liye. Vaise Sir ne bahut madam ki meri.

Ranjana- Haan maidam CO Sir ne is mamle ko apne hantho me le liya tha aur bahut hi bariki se sab chaan bin ki aur pore mamle ko investigate kiya. Unhone din raat ek kar diya aapko begunah sabit karne ke liye. Javed Aur Mohit bhi Sir ke sath hi the is poori investigation me.

Sarita- Achha. Javed bhi tha. Jawed aaya hai kya aaj PS me. Jara use bhejna mere paas.


Fir tino Sarita ko selute karke cabin se bahar chale jate hain. Thodi der baad cabin ka door nock hota hai aur Sarita andar aane ke liye bolti hai. Javed Sarita ke samne jakar khada ho jata hai. Sarita use baithne ka ishara karti hai. Javed Sarita ke samne kursi par baith jata hai. Sarita Javed se mukhatib hote huwe boli.


Sarita- Javed. Suna hai ki mere case me tum bhi poori tarah se involve the mujhe begunah sabit karne ke liye.

Javed- Ji madam. Hamko aapki imandari par poora bharosha tha, isliye maine aur mohit ne Sir ke sath milkar apni jan laga di is case me.

Sarita- Case mera tha aur mujhe hi koi jankari nahi mil rahi hai is case ke bare me. Mujhe tum poori baat batao.

Javed- Sorry madam nahi bata sakta aapko kuchh bhi.

Sarita- Kyon nahi bata sakte mujhe. Case mera tha aur mujhe jan-ne ka poora hak hai. Tumhe batane me koi problem hai kya.

Javed- Nahi madam mujhe batane me koi problem nahi hai. Lekin main nahi bata sakta. Meri kuchh majboori hai.

Sarita- Are Aisi kya majboori hai jo tum mujhe nahi bata sakte is case ke bare me.

Javed- Kyonki Sir ne aapko is case ke bare me kuchh bhi batane se mana kiya hai. Isliye main aapko kuchh bhi nahi bata sakta.

Sarita- Kaun se Sir ne mana kiya hai tumhe.

Javed- Nishchal Sir ne mana kiya hai.

Sarita- Kya. Wo Hit.. mera matlab hai ki Sir pagal ho gaye hain kyaa. Mera case hai aur mujhe hi kuchh batane se mana kiya ja raha hai. Samajh me nahi aata ki tum aur tumhare Sir ko Mujhse kya problem hai.

Javed- Koi kaam tha kya aapko madam ya main jaun.

Sarita- Nahi tum ja sakte ho. mujhe jab jaroorat hogi to main bula lungi. Tum sab kisi kaam ke nahi ho. sab us hit… Achha jao tum ab. Mujhe kuchh kam karna hai.


Javed Sarita ki baat sunkar uske cabin se bahar chala gaya. Uske baad Sarita apne kam me jut gayi. PS ka kam khatam karke jab wo apne kamre par aati hai aur fresh hokar chaai ki cuskiya lene lagti hai tabhi uska phone bajne lagta hai. Jab wo phone uthati hai to screen par Unknow number flash ho raha tha. Sarita ne phone uthaya to udhar se aawaz aai.


Sarita- hello.

Unknow- hay Sarita. Main Savi bol rahi hoon.

Sarita- Ohhhh diii aap. Kaisi hain aap di.

Savi- Main bilkul badhiya hoon. Aur aaj main bahut khush hoon to isi Khushi ke mauke par aaj ka dinner tum mere yaha par karogi.

Sarita- kya main aapki Khushi ka raz jan sakti hoon di.

Savi- main isliye khush hoon kyonki tum par jo case chal raha tha wo clear ho gaya. Isliye maine tumhare liye dinnar me ache ache khan eke pakwan banaye hain. Tum jaldi se aa jao.

Sarita- Thank You di. lekin in sabki kya jaroorat hai.

Savi- Jaroorat hai Sarita. Isi liye to tumhe bula rahi hoon. Aur mujhe pata hai ki tum jaroor aaogi.


Sarita Savi ki bato me apne liye mithas aur pyaas ka Anubhav kar rahi thi. Isliye usne jyada bahas nahi ki aur aane ke liye haan kar di. Sarita ki is haan ke pichhe ek aur maksad tha ki wo isi bahane apne case ke bare me kuchh pata bhi kar sakti thi.


Sarita Savi ke yaha jane ke liye taiyar ho gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Chalo akhir kar sarita ke Uppar lage arop hata diye gaye aur usey Phir se duty bhi join karne ke liye kaha gaya ye sab huwa nischal ki wajah se usne khud hi pore mamle ko apne hath mai lekar sarita ko begunah sabit kardiya hai ab dekhna ye hai ki usne ye sab kaise kiya.
Lagta hai savi ji ko sarita kuch zyada hi pasand agayi jo wo unhe khane par bula rahi hai ab dekhte ye in dono ke bich jo tuning ban rahi hai wo kaha tak jati hai.
Overall Nice Update
BRAVO 🙌
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
Khubsurat bas yahi nikla apne Maan se is update ko padhkar Mahi Maurya ji
Jis tarah se apni sab ki feelings ko dikhaya Abhishek ke jane Baad wo Lajawab hai
Pora pariwar hi dhuki hai ek Abhishek ke jane par kehta hai zindagi ka ek niyam ke hume iske sath chalte jana chahe hume manzoor ho ya na ho
Jaha anand ji ki dono hi betiyon ne unka Naam is unchayi par pahunchaya hai ki wo simar utha kar samajh mai unke barey bol sake wahi ek bete ka yo ghar se chale Jane ka dukh wo aaj bhi apne kandhe par utha rahe hai
Aaj ek Baap ki life ka sabse ahem din jo wo apni beti ki sagai kara raha hai ye to har pita ke liye bohut khushi ka mauka hota.
Aur anand ji apni beti is kabil bhi banaya hai ki wo apne agey ki zindagi ache se guzar sake.
And ek kadwa sach bhi samne hai dahej ka chahe ladki us ladke se lakh gona achi hi kyu na ho but uske ghar walk ko dahej dena hi padhta sirf isliye hi kyunki wo ladki ke mata pita hai.
Overall top notch update with such a great writing skills
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।।
अभिषेक ने बिल्कुल गलत किया है। उसे घर छोड़कर नहीं जाना चाहिए था, क्योंकि अब तो उसके मां बाप और बहनों को उसकी जरूरत थी लेकिन उसने सभी को ठुकरा दिया और घर से चला गया।।
बेटियों को भले ही लोग पराई बोलते हैं लेकिन बाप का नाम वही रोशन करती हैं ज्यादा तर।
समाज मे हर तरह के लोग रहते हैं। कोई अच्छा कोई खराब। कोई लालची तो कोई संतोषी। ये तो समाज का नियम बन गया है कि लड़की चाहे जितनी भी काबिल क्यों न हो। दहेज के बिना उसकी शादी की कल्पना करना ही बेमानी है।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
Yaar Kya update likha Mahi Maurya ji apne ye jaha Pehle ek Baap kp majbur hota dekh bura laga
Wahi sarika ka khud yo rishte ko thukrane dekh kar laga ki har ladki main aisi himmat hone chahiye aur har pita anand ji jaisa hona chahiye jo samay rehti apni beti ki Baat mangaye
But wahi ek aur kadwa sach apne dikha diya ye padosi Maa beti ke rup mai aur yahi ek badi wajah ki ladki rishta todne se darti hai ke kahi uske charitr aur uske Baap ke parwarish par Baat na ajaye
Hum chahe kitna bhi kehle ki logon ki Baat se koi farak nahi pada par ek kadwa sach ye bhi bohut bada fark padta hai kayi log depressed hojata hai to kayi log unki baaton se bachne ke liye jo manzur nahi usey bhi manzur karlete hai
One of the best update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता ने बिल्कुल सही किया। वो कैसे देख सकती थी कि उसके बाप ने जिसने उसकी परवरिश में कोई कमी नहीं छोड़ी। आज उसके लिए किसी के कदमों में अपनी पगड़ी रख रहे हैं।।
इंस्पेक्टर की बेटी और पत्नी जैसे लोग भी समझ मे रहते हैं जो किसी के दुःख में अपनी खुशी ढूंढते हैं।।
साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
So sarika ne apne se to khud hi bohut mehnat ke jab itne kathin exams usne pass kariye aur interview mai bhi jab apne se usne pori mehnat ki uske Baad chahe parinam kaisa bhi aye but is Baat ka satisfaction to rahega ki usne apni taraf se to pori koshish ki thi bas wahi kafi hai.
Nice update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।।
सरिता ने अपने ऊपर लगे आरोप का जवाब मुंह से बोलकर नहीं दिया बल्कि कुछ कर के दिखाया। ताकि उसकी छाप सदियों तक रहे। सरिता ने अपनी पूरी मेहनत की अपनी मंजिल पाने के लिए और उसकी मेहनत सफल भी हो गयी।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
Sarita ne apne naye jiwan ki taraf apne kadam bada diye akhir uski mehnat raang layi aur wo ek police officer banne ja rahi hai
Rani ji kaa to khane ke dibbe dena batata hai ki ek Maa to akhir Maa hi hoti hai chahe usey pata ho ki waha agar usey kuch khana ho to wo khud bhi kha sakti hai kharid kar par Phir bhi ek chinta rehti ki kahi wo na khaye.
Dono behno ke bich ka Pyaar sach mai gazab hai na dono ek dusre ke bina reh sakti hai aur jab sath hoti hai to ladti rehti hai.
And ab shayad sarita Phir se apne bhai ki talash karne niklegi kyunki ab wo us profession mai hai jaha se usey apne bhai ko dhundne mai madad milegi.
Marvelous update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।

सरिता अपने ने जीवन की शुरुआत कर दी है। आगे आने वाले समय मे उसके लिए बहुत सी चुनौतियां आने वाली हैं जिसका उसे डटकर सामना करना होगा।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
So finally Nishchal ke darshan hogaye ab to Naina ji bohut khush hogi akhir unka favourite character jo hai
And Mahi Maurya ji abhi tak to maine pore updates nahi pandey but agar sarita ko bacha huwa hai ya in future is kahani mai kisi ka bhi bacha hoga to unka Naam chirag ladke ka hona chahiye agar ladki hai to arshi 😅
Yaha sarita ne Nishchal ko thappad to rasid diya but kya hoga jab uski mulakat police station mai usse hogi
Overall good update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।
अभी नैना जी तो गायब हो चुकी हैं। कहानी शुरू करवाकर उन्होंने अज्ञातवाश ले लिया है ऐसा लगता हैं।
खैर निश्छल कहानी में आ चुका है और सरिता ने उसका स्वागत भी बहुत जोरदार तरीके से किया है।। अब इसका क्या परिणाम होता है वो तो आने वाले समय मे पता चलेगा।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
So finally officially sarita join hogayi aur ek quarter bhi milgaya Rehne ke liye jisse usey asani hojayegi
Dono behne Pehli baar ek dusre ke bina itne samay ke liye Rehni wali hai to unka yu bhavuk hona lazmi hai
And jis din sarita late huwi usi din uske senior ka aghman hogaya PS mai aur jis hisab ke dono ke expressions they ek dusre ko dekhne Baad usse to yahi lagta hai ki ye shaks Nishchal hi hoga.
Overall good update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका।
अब सरिता की किस्मत खराब थी या समय की बलिहारी की जिस दिन सरिता पुलिस थाने में पहुचने में देर हो गई उसी दिन उसका बाद अधिकारी आ गया। बधुत दिलचस्प स्थिति बनेगी जब दोनों का सामना होगा।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
2,557
5,867
143
So rawat ji bacha liya sarita ko warna Nishchal to sunne ke mood mai nahi lag raha tha
And kahani mai villain kki bhi entry hogayi kalaua ke rup mai ab dekhte hai ki sarita ka agey safar kaise rehta hai
Overall good update
BRQVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।।
अब बड़े अधिकारी से पंगा लिया था तो उसकी सुननी भी पड़ेगी, लेकिन सरिता को ये बात नागवार गुजरी है। आगे और भी मोड़ आएगा कहानी में।
साथ बने रहिए।।
 

Top