Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Eaten Alive
4,118
4,186
143
Rani ji- Are aisi kaun si baat ho gayi jo isne mere bete ko goli maar di. Are wo iska bhai hai. Kam se kam ek baar ise apne bhaaii se baat to karni chahiye thi. Tumne bahut galat kiya hai Sarita. Agar Abhishek ko kuchh ho gaya to Main tujhe kabhi maaf nahi karungi.
dekh liyo Badshah Khan ji... Main to big bang ke jamane se hi kehti aa rahi hun ki is sarita ko laath maarke bhaga do story se aur hella ko le aao.. lekin meri koi sune tab na.. Dekho aaj rani ji ko kis kadar dard de rahi hai sarita :sigh:
Rani ji ke bete ko goli maar di kamini ne...
Bad bhery bhery bad feeling sad :popcorn1:
 
Member
324
1,027
93
dekh liyo Badshah Khan ji... Main to big bang ke jamane se hi kehti aa rahi hun ki is sarita ko laath maarke bhaga do story se aur hella ko le aao.. lekin meri koi sune tab na.. Dekho aaj rani ji ko kis kadar dard de rahi hai sarita :sigh:
Rani ji ke bete ko goli maar di kamini ne...
Bad bhery bhery bad feeling sad :popcorn1:
Ghor kalyug chal raha hai ab hum kya kar sakte hai sarita yuhi to lady don nahi bani ab wo samne koi bhi ho goli marne se Pehle nahi ssonchti 😁
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 59


Sarita aur Nishchal ke bich jo jhagda huwa tha abhi uske karan dono ka khana nahi ho paya tha, khane ko bich mein hi dono ke bich tu tu main main shuru ho gayi thi. Nishchal ke jane ke baad Sarita kuchh der wahi baithi rahi,


Jab uska gussa shant huwa to Usne realise kiya ki Usne Kuchh jyada hi over react kar diya hai. Isi karan Nishchal ne khana nahi khaya hai to usne Kitchen mein jakar dono ka khana garam kiya aur use lekar Nishchal ke kamre mein chali gayi.


Uhar Nishchal apne bister par baitha abhi jo kuchh bhi huwa tha use soch soch kar pareshan ho raha tha. Wo khud ko iska jimmedar man raha tha. Agar wo apna gussa control karta to shayad abhi Sarita se jhagda nahi hota.


apni galti ka ehsas hote hi wo Sarita se mafi mangne ke bare mein sochne laga. Yahi sochkar wo Niche jane ke liye utha tabhi uske darwaze par khatkhatahat hui. Usne jakar darwaza khola to Sarita do plate khana liye bahar khadi thi. Nishchal Samne se hat gaya.


Sarita andar aa gayi aur table par khana rakh diya. Nischal bhi akar apne bister par baith gaya. Sarita bhi waha rakhi kursi par baith gayi. dono ke bich khamoshi chhayi rahi. Thodi der khamosh rahne ke baad Nishchal ne kaha.


Nishchal- I Am Sorry. Maine us samay kuchh jyada hi react kar diya tha. Ho sake to mujhe maaf kar dena.

Sarita- Its okk. Shayad mujhe bhi aapke matter mein nahi bolna chahiye the, lekin di ki baat thi isliye mujhse raha nahi gaya. I am Sorry. Ab khana kha lijiye nahi to fir thanda ho jayega. Main dobara nahi garam karne wali khana.


Nishchal ke chehre par muskan aa gayi ye sunkar. Usne chupchap bina kuchh bole khane ki plate utha li aur khane laga. Sarita ne bhi uske sath wahi baithkar khana khaya. Khana kha lene ke baad Nishchal ne Aabhar bhari najro se Sarita ko dekhte huwe kaha.


Nishchal- Thanks.

Sarita- You Wellcome.


Itna kahkar Sarita ne jhuthe plate uthaye aur Nishchal ke kamre se bahar nikal gayi. rasoighar mein juthe plate rakhne ke baad Sarita apne kamre mein chali gayi. Thodi der baad use neend aa gayi.


Subah uthkar wo Nashta banakar PS chali gayi aur apne cabin mein kaam karne lagi. Thodi der baad Janhavi Bhagti hui uske paas aayi.


Janhavi- Madam ek bahut hi khas information aayi hai mukhbir se.

Sarita- Kya bataya usne.

Janhavi- Madam, Aaj Raat mein Drugs ki bahut badi smuggling hone wali hai aisa Mukhbir ne bataya. Sath mein ye bhi bataya ki Ye sab Bachha Singh ke chhote bhaai Raghu ki nigrani mein ho raha hai.

Sarita- Kyaa. Aur kuchh bataya usne.

Janhavi- Haan madam, ...........Is jagah par Drugs rakha hai jo abhi kuchh hi der mein trucks mein load kiya jayega. Fir Wahi se raat mein Use Is Districs se bahar bhej diya jayega.

Sarita- ye to bahut badi khabar hai. Main aisa hone nahi doongi. Kaun kaun hai PS mein abhi.

Janahvi- Mohit Sir, Kaushal aur Vikas Sir hain abhi. Jawed Sir DSP Sir ke sath kisi kaam se bahar gaye huwe hain. Unko aane mein do-tin ghanta lagenge. Amit do din ki leave par hai.

Sarita- Sabko bulao abhi mera paas.

Janhavi- Lekin Madam aap karne kya wali hain. Kahi aap khud jane ka to nahi soch rahi hain.

Sarita- Haan main khud jaungi aur us Raghu ko pakad kar Salakhon ke pichhe dalungi.

Janhavi- Nahi madam. DSP Sir ka Sakht Nidesh hai ki Aap ko bina unki permission ke field par na jane diya jaye. Agar aapko jana hai to ek baar aap DSP Sir se baat kar lijiye. Nahi to wo naraz ho jayenge.

Sarita- Mujhe Field par jane ke liye Unki Permission ki jaroorat nahi hai. Ye area meri nigrani mein hai to Yaha par jo bhi hoga aur mujhe jo bhi karna hai apne area mein uske liye mujhe kisi ke permission ki jaroorat nahi hai.

Janhavi- Lekin Madam, Nishchal Sir ne mana kiya hai.

Sarita- Tumhari boos main hoon ya Nishchal Sir.

Janhavi- aap maidam.

Sarita- To jao aur Un tino ko bulakr lao. Main bhi dekhti hoon ki ye Drugs mere area se bahar jata kaise hain. Ek baat aur. Is bare mein tum Sir ko kuchh nahi bataogi. Samjhi.

Janhavi- Ji madam.


Itna kahkar Janhavi cabin se bahar chali gayi. Kuchh hi der mein Mohit, Vikas aur Kaushal Sarita ke samne the. Sarita ne unhe kya karna hai kaise karna hai Sab kuchh Samjha diya. Jise Sun-ne ke baad Mohit ne kaha.


Mohit- Ye sab to thik hai madam, lekin abhi aapki halat aisi nahi hai ki aap Itne bade mission par nikale. Meri maniye to ek Baar Sir se baat kar lijiye. Unhone Aapko Field kaam ke liye mana kiya hai.

Sarita- kya hai ye sab. Ye mera PS hai ya aapke Sir ka. Manti hoon ki main unke Undar mein kaam karti hoon, lekin ye PS Mere Undar mein hai. Aur mujhe kya karna hai iske liye Unki permission ki jaroorat nahi hai mujhe.

Main ye bhi janti hoon ki agar meri halat thik bhi hoti tab bhi mujhe Sir kabhi parmission nahi dete is kaam ke liye. To Is samay main aap sab ki boss hoon. Main jo kahungi wahi karna hoga aap logo ko.

Kaushal- Thik hai Madam. Us Drugs Smuglling ko rokna hi hai na to ham sab milkar Use rok lenge, Par aap mat chaliye sath mein Nahi to Sir ham logo se bahut naraz ho jayenge.

Sarita- Main to jaungi. Agar tum logo ko mere sath nahi chalna hai to chupchap PS mein baith jao aur apne Sir ki chamchagiri karo. Tum logo ko Kuchh kahna hi bekar hain. Main ja rahi hoon.


Itna kahkar Sarita bahar jane lagi. Use dekhkar Mohit. Vikas aur Kaushal bhi bahar aa gaye aur Sarita se kaha.

Vikas- Thik hai madam. Ham bhi aapke sath chal rahe hain.


Sarita ne kuchh hawaldar ko apne sath mein liya aur Mukhbir ki batai hui jagah par chal pade. Mohit phone to nahi kar sakta tha Nishchal ko Sairta ke samne to usne PS se nikalte samay Nishchal ko massage kar diya.

Kuchh hi der mein Sarita, Mohit, Vikas Kaushal aur 6 Hawaldar aur 2 constable Mukhbir ki batayi hui jagah par pahuch gaye. Unhne gadi kuchh door par roki aur paidal hi Us Godam ki taraf chal pade jis godam mein Drugs Truck mein load hona tha.


Sabhi chhupte chhupate us jagah par pahuch gaye. Bahar do aadmi khade chakkar laga rahe the. Sarita ne Mohit aur Kaushal ko ishara kiya to wo dono chupke chupke dono aadmiyon ki taraf badhne lage. Ek aadmi ke paas pahuchkar Mohit uske pichhe khada ho gaya.


Jab wo aadmi palta to mohit ko dekhkar kuchh bolne ko huwa tabhi mohit ne apne gun ki butt se uske sir par pichhe ki taraf waar kiya. Jisase wo aadmi behosh ho gaya.


Apne sathi ki halki cheekh sunkar jab Doosre aadmi ne mohit par waar karne ki koshish ki to kaushl ne furti dikhate huwe uski gardan daboch li aur ek jhatke mein uski gardan mod di. is waar se uski gardan to nahi tooti lekin bhayanak dard ke karan wo bhi behosh ho gaya.


Un Aadmiyo ko hawaldar ke hawale kar Sarita, Mohit, Vikas, Kaushal aur do hawaladar Godam ke andar ghus gaye. SAbhi log chhupte chuupate do bhago mein batkar do jagah chhup gaye aur andar ka jayja lene lage.


Godam mein do Truck khada huwa tha. Uske alava 6 Aadmi aur bhi the jo khade huwe the. Unhe ek aadmi kursi par baitha huwa kuchh nidesh de raha tha. Uski pith Sarita ki taraf thi, isliye uska chehra use dikhayi nahi de raha tha.


Is bich Nishchal ne Mohit ka massage padh liya tha aur wo bahut pareshan ho gaya tha. Usne mohit ko phone lagaya, phone silant mein the, Isliye Usne phone nahi uthaya. Nishchal ne Sarita ko phone kiya to Sarita ne apna phone apni gadi mein chhod diya tha, Isliye phone nahi utha.


Dono taraf Se Phone receive na hone ke baad Nishchal ne Janhavi ko phone kiye to Janhavi ne use bataya ki Sarita ke sath kaun kaun gaya hai. To Nishchal ne Vikas aur Kaushal ko bhi phone kiya lekin kisi ne phone nahi uthaya.


JIsase nishchal ko kisi anhoni ki aashanka hui to wo Jawed ko sath lekar Jis kaam ke liye gaya tha use chhodkar wapas nikal pada, lekin Use Yaha tak aane mein bhi kam se kam 1.30 se 02.00 ghante lagne hi the.


Idhar Wo Aadmi baitha huwa apane aadmiyo ko kuchh nidesh de raha tha. Kuchh der baat karne ke baad Uske aadmi Truck load karne ki taiyari karne lage. Yahi samay uchhit jankar Sarita ne apne sathiyo ko ishara kiya action lene ke liye.


Pahla nishana khud Sarita ne lagaya. Jo sidhe Raghu ke khas aadmi (Sarita se baat karne ke baad Jis Gunde se Raghu kal baat kar raha tha saman idhar se udhar bhijwane ke liye) ke pairo mein jakar lagi.


Goli ki aawaz dunte hi Raghu Uchhalkar kursi se se khada ho gaya aur turant khambe ke pichhe chhip gaya. Goli chalne se uske aadmi bhi satark ho gaye the.


Fir dono taraf se goli bari shuru ho gayi. Raghu ne bhi kaman sambhal ki aur wo bhi Police par goli chalane laga. Tabhi usne Sarita ki ek jhalak dekh li. Wo turant khambe ke pichhe chhip gaya aur sochne laga.


Raghu- Ye yaha kya kar rahi hai. Isne to kaha tha ki ye abhi bas PS ka kaam hi karegi, field work to isne kuchh dino ko liye chhod diya hai. Lekin ye to badi sakht jaan hai.

Aswathya hone ke baavjood bhi Yaha par chali aayi. Man-na padega Raghu teri pasand ko. Bahut achhi aur bahadur ladki pasand ki hai tune apne liye. Lekin Abhi sabse bada sawal ye hai ki Isko pata kaise chala ki aaj ham yaha par Drugs ki Smuglling karne wale hain. Sala koi gaddhar hain ya Police ka koi informar hain mere kheme mein.

Sabse pahle to mujhe Sarita ki najar se apne aapko bachana hai. Nahi to main itne din se jo mehnat kar raha hoon iske kareeb jane ki wo kabhi poori nahi hogi. Mujhe kaise bhi karne yaha se nikalna hoga wo bhi bina Sarita ki najar mein aaye.


Raghu yahi sab soch raha tha, Tab tak Mohit aur Vikas aur Kaushal ne tin aur gundo ko ghayal kar diya. Sarita ne Dekha ki Ek gunda unki taraf chupke chupke badh raha hai to Sarita ne Uske pair par goli maar di. Jiske karan hath mein pakadi hui Hockey Stikk Niche gir padi. Us Gunde ke paas gun nahi thi.


Ye Sab dekhkar Raghu apne aapko Sarita ki najaro se bachane ke liye Apne munh mein kapda bandhkar Pichhe ke raste se bhagne laga. Sarita ne jab kisi ko bhagte dekha to Usne tabadtod 3 fire kar diye. Ek goli Raghu ke kandhe ko chukar nikal gayi. Jiske karan uske munh se chheekh nikal gayi, Lekin wo bhagne mein kamyab raha.


Raghu ke bhag jane ke baad Ab godam mein 4 jan bache the. Do ghayal pade huwe the aur do khambhe ke pichhe chiipe huwe the. Sarita Mohit, Vikas, Kaushal aur dono hawaldaro ko kuchh ishara kiya. Aur chupke chupke dono surakshit bache huwe gundo ko pakadne ke liye aage badhne lagi.


Tabhi ek hawaldar ne galti kar di aur bahar nikal kar tezi se chhupne ke liye bhaga, tab tak Ek gunde ne Us par goli chala di. Gunde ki goli hawaldar ki band ko chukar nikal gayi. Hawaldar chheekh marker wahi gir pada.


Isase pahle ki gunda wapas piller ke pichhe chhipta Sarita ne nishana laga diya gunde par, Sarita ke gun se lagatar do goli nikli. Ek goli uski hatheli par lagi aur doosri goli Uske pair par lagi. Wo chillate huwe wahi jammen par dharasayi ho gaya.


Ye dekhkar bache huwe ek gunde ki hatal kharab ho gayi aur usne apni gun khambe ke pichhe se bahar phenk di aur Chillate huwe bola.


Gunda- Mujhe goli mat marna. Main samarpan kar raha hoon.


Ye bolkar gunda pillar ke pichhe se bahar aa gaya. Ye dekhkar Sarita ne sabhi ko gun down karne ka ishara kiya aur bahar khade hawaldaro ko bulakar ghayal gundo ko gadi mein dalkar ilaz ke liye le jane ke liye aur Jisne samarpan kar diya use hathkadi lagakar jeep main baithane ke liya kaha. Uske baad Sarita ne Mohit se kaha.


Sarita- Mohit ji. Aur policewalo ko bulakar Yaha ke sare saman ko jabt kar lo aur Is godam ko sheej kar do.

Mohit-Ji madam. Main abhi aur police team ko bulata hoon.

Sarita- Sath mein SSP Sir ko bhi inform kar dijiye ki Drugs ka Consignment pakda gaya hai.

Mohit- Ji madam. Main inform kar deta hoon.


Sarita ke nidesh par Mohit ne Aur police force mangane ke liye PS phone kiya aur Phir SSP Sir ko phone karke Is Mission ke bare mein jankari di.


SSP Sir Thoda garam ho gaye. Kyonki Ye Mission bina permission ke anjam diya gaya tha, kyonki mohit ne unhe yahi bataya. Sarita ke nidesh ke baad hawaldar aur constable milkar ghaylo ko waha se le jane lage.


Ab godam mein Ek ghayal gunde ko chhodkar aur koi nahi tha. Mohit, Sarita, Vikas aur Kaushal Aapas mein kuchh baat karne lage. Tabhi Wo gunda jo hockey Stick se police wale par hamla karne ki firak mein tha.


Wo muaka pakar bhagne ki koshish karne laga. Tabhi Sarita ki nigah Us par padi. To usne turant apni gun nikal li aur usase kaha.


Sarita- Ruk jao nahi to goli mar doongi.


Sarita ke kahne ke baad bhi Wo Nahi ruka aur bhag kar Piller ke pichhe chhip gaya. Sarita ne phir se us Gunde se kaha.


Sarita- Maine kaha. Ruk jao nahi to goli maar dungi. Chalo chupchap bahar aao.


Sarita ke kahne dobara kahne ke baad Kuchh der to koi halchal nahi hui, Lekin Kuchh der baad wo gunda bahar aane ke bajay Jidhar se Raghu bhaga tha Udhar bhagne laga,


Sarita ne uske pair mein jo goli mari thi wo bas use ghayal karne ke liye mari thi, isliye goli uske pair mein touch kar ke nikal gayi thi, Use takleef to ho rahi thi, lekin is samay use apni takleef se jyada apne apko police ki pakad se bachana tha,


isliye Sarita ke kahne ke baad bhi jab wo bhagne laga tab Sarita ne us par goli chala di. Goli Sidha uski Pith par jakar lagi. Aur ek aawaz Sarita ko sunkai padi.


Gunda- Ohhhhhh mummmyyyyy.


Ye aawaz Sarita ke dimag mein gunj gayi, Kyonki ye aawaz use kuchh jani pahchani lagi. Sarita turant daud kar uske paas gayi to dekha ki wo gunda Munh ke bal gira huwa karah raha tha.


Mohit ne use pakad kar siddha kiya to Sarita ne uske chhehre ko dhyan se dekha. Us gunde ke chehre par badi badi dadhi aur muchhe thi. uske baal bhi chhoti karne layyak bade bade the. Sarita ki najar jab chehre se upar hokar uski aankho par padi to Use wo aankhe jani pahchani lagi.


Sarita pahchan-ne ki koshish karne lagi, lekin use kuchh samajh nahi aa raha tha ki ye gunda use jana pahchana kyon lag raha hai.


Pata nahi Sarita ke dimag mein kya aaya. Usne mohit ko us gunde ke pant aur shirt ke jeb ki talashi lene ke liye kaha. Mohit ne jab uske jeb ki talashi li to use uski jeb se ek perce mila. Mohit ne wo perce Sarita ko de diya.


Sarita ne Jab Wo perce kholkar dekha to usme kuchh paise aur ek kagaj modkar rakha huwa dikha. Kagaj ke upar panni chadhayi gayi thi. Utsukta wash Sarita ne us kagaj ko nikala aur use khokkar dekhne lagi. Jaise hi Sarita ki najar Us kagaj par padi. Sarita chauk gayi.


Sarita kabhi us kagaj ko dekhti to kabhi niche pade gunde ko dekhti. Sarita ne turant niche baithkar us gunde se kaha.


Sarita- Ye kagaj tumhe kaha se mila.


Gunda, jiski halat kharab ho chuki thi. wo khoon se lathpath ho chuka tha. Usne ladkhadati aawaz mein kaha.


Gunda- Kahii se bhi mila ho. tumhe isase kya matlab. Wo kagaj mujhe do.

Sarita- pahle main jo pooch rahi hoon wo batao. Ye kagaj tumhe kaha se mila aur isme jo tasvir bani hai wo kiski hai.

Gunda- Tumhein usase koi lena dena nahin hona chahie .Nahi Nahi main nahi bataunga tumhe.

Sarita- Main aakhiri baar pooch rahi hoon. Ki ye kajaj tumhe kaha se mila aur isme jo tasveer hai wo kiski hai. Agar tumne nahi bataya to main ye kajag Abhi jala doongi.

Dard aur khoon bahne ke karan uski halat bahut kharab ho gayi thi. Uski jubaan ladkhadane lagi thi aur aankhein jhapakate lagi thi. Sarita ki baat sunkar usne ladkhadati juban mein kaha.

Gunda- Nahi.. Na..hi aisa mat karna.. Yahi tas..weer to mere jeene ka sahara hai. Aisa julam mat karna tum mere upar. Itna to mujhe sam...ajh me aa raha hai ki tum ab tak ye samajh chuki ho ki main kaun ho sa..kta hoon. Tumme too mujhhe pa..Pahchaan.. li..Liyaa hogaa... na.. bahna...


Itna kahte kahte wo gunda behosh ho gaya. Itna sunte hi Sarita ke hatho se wo kagaj chhootkar jameen par gir pada. Uska poora jism kanpne laga Aur uske Munh se ek jordaar cheekh nikal gayi..


Sarita- Bhaiyaaaaaa.......



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So finally Abhishek se mulakat hogayi but kisne soncha tha ki Abhishek aur sarita ki mulakat aisi hogi jaha ek behen ne din raat mehnat karke police ki job payi wahi Abhishek ghar chodne ke Baad ek gunda bangaya..
Yaha Phir se sarita ne nichal ki Baat nahi mani aur khud hi field par chali gayi sarita ko bohut baar ye Kehte huwe suna ki ye PS mere andar hai to iske sabhi faisle main khud lungi but sarita ke isi logic ke hisab se dekha jaye to wo khud nischal ke under hai aise mai nischal ka faisla bhi to jayaz hai aur usey maana bhi to sarita ka kaam hai but madam ko apne alawa kaha koi kabhi sahi laga.
Raghu to bach kar nikal gaya sarita se.
Overall nice update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,027
93
UPDATE- 60


Jab ghayal gunde ne Sarita ko ye bataya ki Uske paas jo Tasvir hai wo uski jaan ki tasveer hai jo usne khud banayi hai to Sarita ko ek jhatka sa laga. Aur uske munh se ek tez Cheekh nikli.


Sarita- Bhaiyaaaa.....


Ji haan Ye Koi aur nahi balki Abhishek tha. Jo ghar chhodkar bhaag gaya tha. Aur Sarita ke hath me wo Tasweer thi jo abhishek ne sarita ke highschool paas hone wale din dono bahanon ki ek sath tasweer banaai thi. Usi tasweer me Sarita ne abhishek ko aadi tirachhi Tasweer banaayi thi. Jise abhishek ne panni mein Surakshit karke apne paas rakh liya tha.


aaj Sarita ne use dhoondh nikala tha, lekin is halat mein. Sarita to jaise apni sudh budh kho chuki thi apne bhai ko is halat mein dekh kar. Sarita ki aankho se jhar jhar aanshu bahane lage. Wo ekdam patthar ki moorat ki tarah jad ho gayi thi.


Mohit, Vikas aur Kaushal ko kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki ye kya ho raha hai aur Sarita ne Is gunde ko bhaiya kyo kaha aur wo ro kyon rahi hai. Mohit ne aage badhkar Sarita ke kandhe ko pakad kar hilata to Sarita hosh mein aayi. Mohit ne Sarita se kaha
.


Mohit- Madam Aap ro kyon rahi hain aur aapne ise bhaiya kyon kaha.

Sarita- Ye aanshu Khushi ke bhi hain aur dard ke bhi. Ye mere bhaiya hain abhishek bhaiya. Mera apne bhaiya. Jinko maine anjane mein goli maar di hai.


fir Sarita ko kuchh yada aaya ki Uska bhai bolte bolte behosh ho gaya hai to usne Abhishek ke kandho ko pakadkar aanshu bajaaye huwe jhakjhorte huwe kaha.


Sarita- Bhaiya. Aankhe khole bhaiya. Main Aapki bahan Sarita hoon bhaiyaa. Utho bhaiyaa Mujhse baat karo. Main aapke liye kitna tadpi hoon bhaiyaa. Aap apni aankhe kyon nahi khol rahe hain. Uthiye bhaiyaa. Aapne ghar mein sab ko bahut rulaya hai bhaiya. Uthiya bhaiya. Hamko aapki bahut jaroorat hai.

Mohit- Madam hosh mein aaiye. Inko goli lagi hai ye behosh ho gaye hain. Hame turant inhe hospital le chalna hoga. Isase pahle ki der ho jaye.

Sarita- Main apne bhaiya ko kuchh nahi hone doongi. Bhaiya aankho kholo. Mohit mere bhaiya ko bacha lo. Main dobara apne bhaiya ko nahi khona chahti. Plz Mohit mere bhaiya ko bacha lo.


Sarita ye kahte huwe phoot phoot kar rone lagi. Waha khade tino ki aankho mein bhi aanshu aa gaye. Kaushal ne kaha.


Kaushal- Aap hausala rakhiye madam. Ham aapke bhai ko kuchh nahi hone denge. Hamko turant inhe hospital le chalna hoga. Aap apne aap ko sambhaliye.


Itna kahkar Mohit aur Kaushal ne Abhishek ko sahara dekar use uthaya aur bahra jane lage. Bahar jate huwe mohit ne Vikas se kaha.


Mohit- Vikas. Tum yaha ka kam sambhal lena. Police force aati hi hogi. Ham inko lekar hospital ja rahe hain. Jaisa bhi hoga. Baat karte rahenge.


Itna bolkar Mohit aur Kaushal Abhishek ko sahara dekhar godam se bahar le aaye. Sarita ne Ek Hawaldar ko kahkar apni gadi mangwai aur Mohit Ne Hawaldaro ko kuchh nidesh diye aur abhishek ko gadi mein baithakar hospital ke liye rawana ho gaye. Raste mein hi Sarita ne apne papa ko phone kiya. Uske papa ne phone uthaya.


Aanand ji- Haa Sarita beta.

Sarita- (Rote huwe) Papaaa……


Sarita ne jab rote huwe papa kaha to Aanand Ji bahut pareshan ho gaye. Unhone turant Sarita se kaha.


Aanand ji- Kya baat hai Beta tum ro kyon rahi ho. Sab thik to hain ha.

Sarita- (Rote huwe) Kuchh thiik nahi hai papa. Bhaiya mil gaye hain. Maine anjaane mein bhaiya par goli chala di hai. Unhe goli lagi hai. Wo zindagi aur maut se lad rahe hain.

Aanand ji- (Chaukte huwe) Kyaa… Kyaaa.. kahaaa. Abhishek. Goliii. Main kuchh samjha nahi tum kya kah rahi ho.


Jis samay Sarita ne phone kiya tha us samay aanand ji ghar mein hi the. Raani ji aur Manisha uske aas paas hi thi. Aanand ji ke Chaukne, Sarita ke rone aur Abhishek ka naam sunkar Wo dono bhi Aanand ji ke paas aa gayi. Sarita ne aage kaha.


Sarita- (rote huwe) Haa papa. Bhaiya mil gaye hain. Lekin Meri gun se chali goli bhaiya ko lag gayi hai. Main bhaiya ko lekar hospital ja rahi hoon.

Aanand ji- (Chauk kar Uchalte huwe) Kya kaha. Abhishek mil gaya hai. use tumhari goli lagi hai. Lekin ye kaise huwa. Tumne aisa kaise kar diya Sarita.


Aanand ji ki baat sunkar Rani ji aur Manisha bhi Chauk gayi. Abhishek Mil gaya hai ye sunkar Tino bahut khush huwe. Lekin use goli lagi hai ye Jankar tino ko bahut dukh huwa. Tino ki aankho mein aanshu aa gaye. Sarita ne aage kaha.


Sarita- (Rote Huwe) Wo main baad mein bataungi papa. Abhi aap bas itna jaan lijiye ki bhaiya bahut galat sangat main pad chuke hain. Jiske karan mujhe goli marni padi. Wo to mujhe baad mein pata chala ki Jise maine goli mari hai wo Abhishek bhaiya hain. Mujhe bahut dar lag raha hai papa. Aap jaldi se yaha aa jaiye. Plz papa.

Aanand ji- Thik hai Tum use Hospital lekar pahucho ham log bhi aa rahe hain.


Itna kahkar Aanand ji ne phone rakh diya aur Manisha aur Rani ji ko turant kapde badalkar aane ke liye kaha. Chunki Is samay train nahi thi Jaunpur ke liye to Aanand ji ne Apne car wale dost ke paas phone kiya to pata chala ki wo kahi bahar gaya huwa hai.


Tab Unhone Auto se hi jane ka nishchay kiya. Auto se bhi kam se kam do se dhaai ghanta lagne the. Raani ji aur Manisha Jaldi se kapda badak kar aa gayi aur Auto se hi Jaunpur ke liye Nikal gaye. Raste mein Rani ji ke poochne par Aanand ji ne itna hi bataya ki Abhishek mil gaya hai,


Lekin Sarita ne use goli maari hai aur wo Hospital mein Zindagi aur maut se lad raha hai. Ye sunkar Raani ji ko Sarita ke upar gussa bhi aane laga. Manisha ko bhi kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki Didiya ne bhaiya ko goli kyo mari.


Udhar ghar mein phone karne ke baad Sarita ne phone cut kiya aur Abhishek ke Sir ko Sahlati hui roti hui boli.


Sarita- (rote hue) Aapko kuchh nahi hoga bhaiyaa. Mummy papa aur Manisha bhi aa rahe hain. Main kuchh nahi hone dungi aapko. Is baar main aapko kahi nahi jane doongi. Ab bahut jaldi thik ho jayenge. Mohit. Thoda tez gadi chalao.


Thodi hi der mein Mohit ne gadi ek bade hospital ke samne roki. Kaushal Turant Hospital mein jakar Strature ke sath two wardboy ko lekar aaya. Abhishek ko turant uspar lita kar andar lekar jaya gaya. Kaushal ne daudkar doctor ko sari baat batai.


Ab police khud aai thi mareej ko lekar to doctor bhi turant harkat mein aa gaye. Poori formilities poori hone ke baad Abhishek ko OT mein le jaya gaya. Aur Operation shuru huwa.


Jo goli Sarita ne abhishek ko bhagte samay mari thi wo goli kandhe ke niche aur merudand ke bagal haddi mein dhans gayi thi. Jiske karan Doctors ko badi masakkat karni pad rahi thi.


Gadi park karte samay Mohit ne Phone karke Nishchal ko godam mein jo kuchh bhi huwa uski sari sachhai bata di thi. Nishchal bhi jald se jald hospital ana chahta tha, lekin Use SSP Sir ne phone karke milne ke liye bula liya tha. Isliye Nishchal waha chala gaya tha.


Sarita JEEWAJ JYOTI hospital ke Operation Teater Ke parisar me yahan se waha chakkar kaat rahi thi. chehare pura Pasine se bhiga huwa Tha. Uski aankhhe Aanshuo se bhari hui thi. Pasine se uski khaki Vardi Bheegkar Uske jism se chipak gayi thi.


Uski Vardi par jagah jagah khoon ke dhabbe dikhayi de rahe the. Lekin use is baat ka hosh nahi tha. Wahi paas ki bench par Mohit aur Kaushal bhi baithe huwe the. Jo Sarita ko Idhar Udhar Chakkar lagate huwe dekh rahe the.


Wo kabhi kabhi Apni Hatheli Maslne lagti to kabhi kabhi Apni Mutthiyan bheej leti. Uske chehre ke bhav Har second badal raha tha. Paas baitha Mohit se jab ye na dekha gaya to usne Sarita se kaha.


Mohit- Madam Aap pareshan mat hoiye. Aapke bhaai ko kuchh nahi hoga. Wo bilkul thik ho jayenge. Aap himmat se kaam lijie madam.

Sarita- Kaise Himmat se Kaam loon main Mohit ji haan. Main kaisi bahan hoon. Maine apne inhi hantho se apne bhaai ko goli mari. Jis bhaai ke hantho meine 14 sal rakhi bandhti thi, jiski salamti ki bhagwaan se duwa mangti thi. Usi bhaai ko maine apne inhi hanto se shoot kiya hai. Main bahan kahlane layak nahi hoon.

Kaushal- Nahi madam. Aapne kuchh galat nahi kiya. Aapne apna Farj nibhaya hai. Aapko thodi hi pata tha ki Wo aapke bhai hain. Wo to galti se aapne goli chalayi thi. Waise bhi Agar aapko iske bare me pata hota tab bhi aap apne farz se pichhe nahi hat-ti.

Sarita- Are aisa farj kis kaam ka. Jisko nibhane ke liye mujhe apne haantho se apne jaan se pyaare bhaai ko goli maarni pade. Aisi Vardi kis kaam ki jo mujhse mere bhaiya ko chheen le. Mujhe nahi chahiye ye Vardi, Ye Rutba, Mujhe sirf mera bhai bhahiye.

Mohit- Doctor Operation kar rahe hain Madam, Aapke bhai thik ho jayenge. Unhe kuchh nahi hoga.

Sarita- Agar unhe kuchh ho gaya to main apne aapko kabhi maaf nahi kar paungi.


Operation theater ke bahar lagbhag do ghanta se jyada samay se light jal rahi thi. Sarita, Mohit aur Kaushal bahut pareshan the. Ki aage kya hone wala hai. Tabhi hospital ke bahar ek auto aakar rukta hai us auto se Aanand ji, Raani ji aur Manisha utarkar bhaagti hui Hospilat me aati hai,


Rani ji ke aate hi Sarita kuchh bolne ko hui ki tabhi Uske gaal par ek jhannatedar thappad Pada. Ye thappad Raani ji ne mara tha. Rani ji rote huwe bolne Sarita se boli.


Raani ji- Ye kya kiya Sarita tumne. Ye kya kar diya. Mere bete ko maar diyaa tumne. Meri mamta ka khoon kiyaa hai tumne. Meri Khokh ujaadane ki koshish ki hai tumne. Are wo tera bhaai hai. Aur tune apne bhaai ke upar hi goli chala diii. Agar mere bete ko kuchh ho gaya na Saritaa to main tujhee jeewan bhar maaf nahi karungii.

Aanand ji- Ye kya Anap Sanap bole ja rahi ho tum bhagyawaan. Agar Abhishek tumhara beta hai to Sarita aur Manisha ka bhaai bhi hai. Tumse jyada ye dono apne bhaai se pyaar karti hain. Tumhe to apni beti par garv hona chahiye ki usne itni kathinaiyon aur Pareshaniyon ke bawjood bhi Sachhai ke raaste se nahi bhakti.

Usne apne Farz aur rishte me farz ko ahamiyat di. Aur tum usko hi dosh de rahi ho. Ek baar pahle ye to jaan leti ki Sarita ne aisa kyon kiya. Mujhe Sarita ne phone karke pahle hi sab kuchh bata diya hai.

Rani ji- Are aisi kaun si baat ho gayi jo isne mere bete ko goli maar di. Are wo iska bhai hai. Kam se kam ek baar ise apne bhaaii se baat to karni chahiye thi. Tumne bahut galat kiya hai Sarita. Agar Abhishek ko kuchh ho gaya to Main tujhe kabhi maaf nahi karungi.

Manisha- Ye kya bol rahi ho aap mummy. Aap didiya ko dekho. Inko dekhkar aapko lagta hai ki inhone Jaanbojh kar bhaiyaa par goli chalai hai, Jisme didiya ki jaan basti hai. Jise didiya aaj tak nahi bhooli hain usko jaan se marne ki koshish Karengi. Are kuchh to majboori rahii hogii didiya ki. Mujhe apniii didiya par puraa bharoshaa hai. Didiya koi galat kaam karr hii nahii sakti.


Itna kahkar wo Manisha jakar Sarita ke gale lag jati hai. Sarita apni bahan ke gale lagkar phoot phoot karr rone lagi. Manisha ka bhi wahi haal ho gaya. Rote huwe Sarita Manisha se kahti hain.


Sarita- Maine janboojhkar bhaiya ko nahi mara Manisha. Mujhse anjane mein ye galti ho gayi. Kya tumhe bhi mummy ki tarah lagta hai ki maine bhaiya ko janboojhkar mara hai.

Manisha- (Rote Huwe) Nahi didiya. Tum Kabhi galat kar hi nahi sakti. Mujhe tum par poora bharosha hai.


Tabhi Operation Theater ke bahar jalti hui red light band hui aur doctor Opration Teater ke bahar Nikle. Doctor ko dekhkar Sabhi Doctor ko gher lete hain. Rani ji Doctor se kahti hain.


Rani ji- Doctor Sahab. Mera beta kaisa hai. Use k uchh hoga to nahi na.

Doctor- Ghabrane ki koi baat nahi hai. Goli Unki Haddi me ghus gayi thi. isliye itna samay lag gaya. Hamne goli nikal di hai aur mareej khatare se bahar hai. Abhi unhe injection de diya hai. To abhi wo aaram kar rahe hain. Fir bhi abhi 24 ghante unke liye critical hain. Agar 24 ghante tak unki halat aisi hi bani rahi to fir aage khatre ki koi baat nahi hogi.

Raani ji- Kya main apne bete se mil sakti hoon.

Doctor- Dekhiye maa ji. Abhi patient so rahe hain. Hosh mein aane ke baad hi aap unse mil sakte hain. Aapko thoda intezar karna padega.


Uske baad doctor chale jate hain. Doctor ke jane ke baad Sabhi waiting room mein baithe rahte hain. Tabhi Sarita ka mobile bajne lagta hai. Sarita ne Jab Mobile mein dekha to Savita ka phone tha. Jo abhi abhi Ghar pahuchi thi. Sarita ne phone na uthate huwe Manisha ko phone pakda diya. Manisha ne phone lete huwe phone Recieve kiya.


Manisha- Hello.

Savi- Sarita kaisi ho tum.

Manisha- Didi main Manisha.

Savi- (Aashcharya se) Tum. Tum Jounpur mein ho. Sab thik to hai na.


Manisha Savita ki baat sunkar hichkiya lene lagi. Savita ko kuchh anhoni ki aashanka hui to Usne Manisha se kaha.


Savi- Kya baat hai Manisha Tum ro kyon rahi ho.

Manisha- Didi… woooo.. diii..


Iske aage Manisha kuchh nahi bol payi aur rone lagi. Mohit Paas mein hi khada tha to usne Manisha se phone le liya aur bola.


Mohit- didi main mohit.

Savi- Mohit. Kya baat hai. Aakhir Kya ho raha hai ye sab. Tum sab sath mein ho. Sab thik to hai na.

Mohit- Kuchh thik nahi hai di. ham abhi ………………. hospital mein hain. Madam aur unke gharwale bhi yahi par hain. Aap Yaha par aa jaiye.

Savi- Kya hospital. Ruko main aati hoon.


Savi ne phone rakh diya aur aur Turant Raghav ko bulakar Hospital chalne ke liye kaha. Idhar Nishchal SSP Sir ke sath uske cabin mein tha. SSP Sir Nishchal par bhadak rahe the ki Bina permission ke Sarita ne is mamle ko oprate kiya. Nishchal ne SSP Sir ko bataya ki Sarita ne Usase proper Permission li thi is opration ki, jo wo unhe batana bhool gaya.


Kaafi samjhane ke baad SSP Sir ka gussa shant huwa. Waha se nikalkar Nischal Sidha hospital pahucha. Sath mein jawed bhi tha. Nishchal aur Jawed chalte huwe sidhe Sarita aur Uske pariwar ke paas pahuch gaye. Waha pahuchne ke baad Nishchal ne poocha.


Nishchal- Ab kaisi Tabiyat hai Abhishek ki.

Aanand ji- Abhi 24 ghante kuchh kah nahi sakte. Doctor ne kaha hai ki 24 ghante baad hi kuchh bata payenge.

Nishchal- Aap log ghar chaliye. Kuchh kha pikar tab aaiyega.

Rani jji- Nahi beta. Main kahi nahi jane wali. Mujhe yahi par rahna hai.

Nishchal- Sarita Tum to ghar jakar apne kapde change kar lo. Tumhare pure kapde gande ho gaye hain.

Sarita- Nahi main thik hoon.


Uske baad Nishchal kuchh nahi bola. Wo bhi chupchap wahi par baith gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So pori family hi agayi hospital Abhishek ke milne ki khabar milte hi chalo abhi filhal to Abhishek khatre se bahar hai
Rani ji ne atey hi sarita ko baja diya wo to anand ji they jinhone apni patni ko samjhaya aur apni beti ka sath diya
Nischal ko ek baar Phir se sarita ki wajah se fatkar mili hai
Ab sarita ki halat bhi aisi hai ki nischal usey bhi kuch nahi sona sakta
Savi aur raghu bhi nikal gaya hospital ke liye ab dekhte hai Abhishek ko kab tak hosh ata hai aur hosh mai aney ke Baad wo kaise react karta hai.
Overall emotional update
BRAVO 🙌
 
Well-known member
3,863
1,494
145
Pta nhi kyu ye update padhke Rona aa gya.... Mahi jii lagta hai aapne poori feelings k saath likha hai :yes:
Abhishek is a bad boi :beee:.... Sarita is a good gall :D
Rani jii ne kuch jyada daant diya bechari ko :verysad:
Manisha aur Aanand jii ne smjha Sarita ko :yes1:
One more thing, Nischal ek no. Ka petu hai isme kisi ko Shaq nhi hona chahiye :notme:
Brilliant update with awesome writing skills :clap3: : :clapping:
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
Raani ji- Ye kya kiya Sarita tumne. Ye kya kar diya. Mere bete ko maar diyaa tumne. Meri mamta ka khoon kiyaa hai tumne. Meri Khokh ujaadane ki koshish ki hai tumne. Are wo tera bhaai hai. Aur tune apne bhaai ke upar hi goli chala diii. Agar mere bete ko kuchh ho gaya na Saritaa to main tujhee jeewan bhar maaf nahi karungii.
Raani ji 101% sach hi to ke rahi hai....Ye kya kiya Sarita ne . Ye kya kar diya usne . Raani ji ke bete ko maar diyaa sarita ne . Raani ji ki mamta ka khoon kiyaa hai usne..unki Khokh ujaadane ki koshish ki hai sarita ne...Are wo to sarita ka saga bhaai hai. Aur usne khud ke sage bhaai ke upar hi goli chala diii. :sigh:

Are thu hai sarita tujh pe...aaatuuu ... jaa, jaake chhullu bhar paani mein kud ke doob mar dmm
Agar mere bete ko kuchh ho gaya na Saritaa to main tujhee jeewan bhar maaf nahi karungii.
Are main to kehti hun ki agar abhishek thik bhi ho jaaye tab bhi maaf mat karna us sarita ko :D

Haan agar abhishek aur savita ki shaadi ho jaaye to raani ji maaf kar sakti sarita ko :D
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
UPDATE - 52
waise dange ho jaane ke baad ye jo curfew lagti hai uske chalte nuksaan sabse zyada in dukaan walo ka hi hota hai, ab ishi update mein gaur kare to... raghu apne matlab ke liye dange karwa diya , goli lagne par sarita aur paas aa gayi nischal k, udhar raghu ko mauka mila sarita ke paas aake guldasta dene ke liye...
in teeno ke to faide hi huye lekin ab nuksaan ho raha hai us jagah ke dukan walo ka, waha rehne wale logo ka...

Khair.... so cctv footage ke chalte heera pakda gaya, lekin itni pitayi hone baad bhi usne muh nahi khola... jabki Sare evidence isi aurrr indicate kare ki us din dange mein us nakaabposh ki madad heera hi kar raha tha.... Kaafi dhitt mujrim hai ye to..
idhar hospital mein sarita ye baat jaan gayi hai ki jaane anjaane mein hi sahi par nischal aaj sahi salamat hai sirf aur sirf usiki wajah se...
waise nischal kahe gussa ho raha tha :buttkick: galat kya boli sarita ne....thik to keh rahi thi wo.. us din nischal ne sarita ko un gundo se bachaya, aur dange ke sarita ne nischal par chalne wali goli ke saamne aake khud pe le li.... Ehsaan ka hisap barabar hua... btw apno pe ehsaan nahi jataya jata, hamesha paraye par hi ehsaan jataya jata hai...
aur yaha nischal sarita ke liye bilkul paraya insaan hi to hai.... isliye ehsaan ki baat kar rahi thi... Kyunki sarita ka apna to SiddHart hai :D
Haan, itni taklif ho rahi hai ek tarike se nischal sarita ki family ka member ban sakta hai...
Are Mahi Maurya ji puchiye to sahi kaise? :D
Main batati hun ki kaise... wao aise ki nischal apni didi shaadi abhishek se kara de to ban gaya na wo bhi sarita ka ristedaar, uski family ka ek member :laugh1:
tab sarita bhi khamkha aise is tarahehsaan wali baat kabhi jikar nahi karegi... :D

nischal ko gussa na aaye next time sarita ki baaton se, isliye savita aur abhishek ki shaadi ho jaani chahiye :love2: :D

Well...Shaandaar update, shaandaar lekhni shaandaar shabdon ka chayan... aur sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi.....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Last edited:

Top