Thriller RAAZ ~The vampire~ completed

306
58
28
ye story mujhe bahut pasand hai aur is story ke original writer hain The Vampire bhai ji..isko mai yahan post kar raha jisne na padhi ho wo padh len
 
306
58
28
Chapter 1 : The Meeting

"Mujhe nahi lagta ke aap is kaam ke liye sahi aadmi ko chun rahi hain" Maine apni anguli mein pehni sone ki anguthi ko ghumate hue kaha.
"Kyun? Mujhe toh bataya gaya tha ke aap is tarah ke hi kaam karte hain" Mere saamne bethi us boodhi aurat ne chashme ke pichhe se apni nazar mere chehre par jamate hue kaha.
"Ji nahi" Maine uski nazar se nazar na milate hue saamne rakhe chaai ke cup ko uthaya "Main ek reporter hoon, koi jasoos nahi. Is kaam ke liye aapko ya toh police ki madad leni chahiye ya kisi aise aadmi ki jo is tarah ke kaam ko bakhubi anjaam deta hai"
"Reporter?" Nazar mere chehre se hoti hui kamre ke ek kone mein khade butler ke chehre par pahunchi "Kya ye vahi aadmi hai jiske baare mein tumne bataya tha mujhe?"
"Ji haan, bilkul" Us aadmi ne fauran sar jhukate hue jawab diya.
"Vo tum hi ho jisne vo kahani chhapi thi, kisi aadmi ke baare mein jisne 2 khoon kiye the aur kabhi pakad mein nahi aaya tha?" Sawal is baar mujhse tha.
"Ji haan" Maine jawab diya.
"Aur tumhari kahani chhapne ke baad hi police ne usko pakda aur use saza hui?"
"Saza abhi nahi hui hai, case chal raha hai" Main janta tha ke ye baat kis taraf ja rahi thi "Par kaafi saboot hain aur 99% saza hi hogi"
"Toh matlab main bilkul sahi aadmi se baat kar rahi hoon" Is baar chehre par muskurahat thi.
"Aap ...." Maine kehna hi chaha tha ke meri baat kaat di gayi.
"Pehle mujhe poori baat keh lene do" Chashme ke pichhe se vo nazar phir mere chehre par jam gayi, jaise meri rooh ke andar tak jhaankne ki koshish kar rahi ho "Tum jitna bhi ek mahine mein kamate ho, is kaam ke badle main tumhein har mahine uska 10 guna dene ko taiyyar hoon, bhale kitna bhi waqt lage aur bhale nateeja kuchh bhi ho. Har mahine ki tumhari tankhwah se alag 10 lakh tumhein ham filhal denge, kaam shuru karne se pehle hi, aur agar tumne kaam poora kar diya toh ham tumhein iska 3 guna aur denge"
"Aur agar main koi nateeja nahi nikaal paya toh?"
"Toh bhi ye 10 lakh tumhare"
Maine dil hi dil mein andaza lagaya, agar main 1 mahine bhi is kaam par raha toh 15 lakh kahin nahi gaye. Aur agar kaam ko poora anjaam diya toh aaram se 50 lakh tak bana sakta hoon. Ek aisi rakam jo agar main din raat kaam karun toh kamane mein shayad mujhe agle 10 saal aur lag jaane hain.
"Mujhe sochne ke liye ek din dijiye"
"Theek hain, aap hamein kal tak jawab de sakte hain. Achhe se sochiyega, ek insaan ke baare mein pata lagane ke liye ye bahut badi rakahm hai."
"Ji haan" Maine haami bhari "Par jis insaan ki aap baat kar rahi hain vo 20 saal se lapata hai"
"Filhal aap chahen toh apne ghar vaapis ja sakte hain ya phir chahen toh hamare guest house mein kal tak ruk sakte hain. Jaisi aapki marzi ho, Liyaqat ko bata dijiyega" Meri baat ko ansuna karte hue vo uthkar kamre se bahar nikal gayi.
Ye sab 2 din pehle shuru hua tha. Main office ki ek party mein tha, jo ki asal mere liye hi di gayi thi, jab mera phone baja. Phone unknown number se tha, call receive ki toh aawaz ajnabhi thi.
"Kya main janta hoon aapko?" Phone karne wale ne apna naam Sunil Mehta bataya toh maine puchha.
"Nahi, par main aapko jaanta hoon"
"Ok" Main party ke shor se door hone ke liye bahar Balcony mein aa gaya "Kahiye?"
"Main peshe se ek vakeel hoon, law firm hai meri apni aur kaafi high profile clients ko represent karta hoon. Vaise main kaun hoon is baat se koi farak nahi padta. Farak padta hai is baat se ke main kiski taraf se phone kar raha hoon"
"All right. Kiske behalf par phone kar rahe hain aap?"
"Rana khandaan ko toh aap jaante hi honge, Mrs. Bela Rana aur unke bete Mr. Rajinder Rana" Mehta ne kaha "Kuchh din pehle aapke newspaper mein ek story chhapi thi unke baare mein."
"You mean tha land barons?"
"Ji haan vahi, main unhi ki baat kar raha hoon"
Rajinder Rana un chuninda logon ki ginti mein aata tha jo munh mein chandi ka chammach liye paida hote hain, balki main toh kehta hoon ke chandi toh phir bhi sasti hai, vo toh munh mein platium ka chammach liye paida hua hoga. Vo log land barons the, hindi mein kahen toh zamindaar log. Raje Rajwade jinki bachi kuchi izzat aur daulat Indira Gandhi sarkar ne loot li thi. Phir bhi kuchh aise gharane the jo us waqt mein bhi apni saakh ko banaye rahe aur apni zameen sarkar ko ya toh saunpi hi nahi aur agar saunpi bhi toh bas naam bhar ki.
Rana khandaan bhi ek aisa hi gharana tha.
Uttar Pradesh, Rajasthan, Haryana, Madhya Pradesh, Punjab aur na jaane kitne aur states mein in logon ke naam be-intehaan zameen thi. Kuchh khud sarkar ne lease par li hui thi, kuchh private companies ne, kahin kheti hoti thi aur na jaane kitni zameen toh yun hi bekaar padi thi. Aur is saari jaaydad ka akela waris tha Rajinder Rana.
Aur iske bilkul vipreet kuchh log aise hote hain jinke apne munh mein steel ka chammach daalne ke liye bhi zindagi bhar bejod mehnat karni padti hai. Balki kuchh kya, hamari desh ki aur shayad is poori duniya ki 80% aabadi inhin logon ki ginti mein aati hai. Gareeb aur middle class log jo apni poori zindagi apni basic needs ko poora karne ki koshish mein hi guzaar dete hain.
Aur aisa hi ek middle class aadmi main bhi tha.
Papa government office mein kaam karte the aur maan housewife. Bachpan se hi gharwalo ki badi ummeedein thi ke eklauta beta kuchh bada kaam karega, duniya mein maan baap ka naam roshan karega, gareebi ko door karega vagerah vagerah. Par aisa kuchh bhi nahi hua. Apne baap ki tarah hi main bhi bas ek mamuli middle class aadmi hi ban paya. Zindagi bhar average student raha toh kisi achhi company mein moti si salary wali naukri milne ka toh sawal hi paida nahi hota tha. Mass communication mein degree haasil ki aur shayad yahi ek jagah thi jahan meri kismet mera saath de gayi. Desh ke ek badi naami girami newspaper mein mujhe naukri mil gayi. Salary achhi nahi toh buri bhi nahi tha aur aaram se kaam chal raha tha.
Ek cheez jo maine naukri milne ke baad thaan li thi vo ye thi ke bhale main apne academics mein kuchh kamal nahi kar paya par apne kaam mein safalta ki har seedhi chadhunga. Short mein kahun toh 30 tak pahunchte pahunchte zindagi ne mujhe kaafi ambitious bana diya tha. Kab main ek mamuli reporter se investigative journalist ban gaya pata hi nahi chala. Hamesha bas isi hi koshish mein rehta tha ke kahin se kuchh aisa khod kar laoon jo akhbaar mein chhape toh hungama ho jaaye aur mera naam uchhle. Is qadar uchhle ke desh aur duniya ki koi bhi media company mujhe munh maangi salary dekar apne yahan rakhe.
Kuchh din pehle hamare newspaper ne ek story publish ki thi. Aise logon ki list jinki hamare desh mein maasik aamdani sabse zyada hai. Tata, Birla, Ambani, Filmstarts, cricketers vagerah. Aur isi list mein ek naam Rajinder Rana ka bhi tha.
Poori list mein aur jitne bhi naam the sab aise log the jo apni zindagi mein kuchh na kuchh karke paisa kama rahe the. Koi bada business chala raha tha, koi filmon mein nach ga raha tha aur koi gend balla khleke note chhap raha tha. Par Rana naam aisa tha jinki aamdani sirf zameen aur shares se thi. Duniya ki badi badi companies ka stock uske paas tha aur har mahine be-intehaan paisa vo sirf land lease, share returns aur dividends par hi bana leta tha.
"Janta nahi hoon par naam se vaakif hoon" Maine Mehta ki baat ka jawab dijiye "Dekhiye agar aap last month chhapi story ke baare mein phone kar rahe hain toh you should really be talking to my editor, or someone higher up the ladder. I am just a journalist here"
"Nahi main us story ke baare mein phone nahi kar raha. Phone karne ki vajah koi aur hai"
"Ok. Bataiye"
"Mrs. Bela Rana aapse milna chahti hai"
"Mujhse?" Main hairat mein pad gaya "Kis baare mein?"
"Ye toh vahi aapko bata sakti hain" Mehta ne kaha.
"Mujhse unhein kya kaam ho sakta hai bhala?"
"Ji sach kahin toh main khud bhi nahi janta. Vo aapse milkar kuchh baat karna chahti hai"
"Thats weird. As far as i can remember, meri toh kabhi unke saath koi dealing nahi rahi" Maine sochte hue kaha.
"That i am not sure of. Mujhe bhi unhone kuchh bataya nahi ke kis baare mein baat karna chahti hain vo aapse. Sirf itna kaha ke main aapse baat karke meeting fix kar doon"
Agar socha jaaye toh ye apne aap mein ek ajeeb si baat hai. Aaj ke zamane mein duniya ka har insaan apni zindagi mein kahin na kahin aur kisi na kisi tarah se bahut zyada busy hai par agar baat apne matlab ki ho toh kaise bhi karke time nikal hi leta hai. Agar hamare darwaze par kabhi koi chanda maangne wala, ya koi social worker ya koi aisa insaan aa jaaye jo hamare matlab ki baat na kar raha ho toh ham ek kaan nahi dete uski baat ko par baat agar apne faayde ki ho toh poore dhyaan se sunte hain.
Us waqt tak mujhe nahi pata tha ke jo baat Mrs. Rana mujhse karna chahti hain vo mere matlab aur faayde ki hai ya nahi par vo is desh ke sabse ameer logon mein se ek thi. Ek full high society woman jis tak pahunchna mere bas ki baat bilkul nahi thi. Jab Mehta ne mujhe bataya ke vo mujhse milna chahti hain toh mere dimag mein sirf yahi khyaal aaya ke baat chahe jo koi bhi ho, at least is bahane se meri unse pehchan toh ho hi jaayegi jo aage chal kar jaane phir kab kaam aaye. Bade logon mein uthna bethna mera tha par unmein se koi bhi itna bada nahi tha.
"Theek hai, i will meet her" Maine Mehta ko jawab diya.
"Great. Bataiye kabki meeting fix karun? Will Sunday be ok?"
"Yeah thats fine" Kamre mein khada mera boss ishare se mujhe party mein vaapis aane ko keh raha tha toh maine use 5 min aur ka ishara karte hue kaha "Milna kahan hai? Aapke office?"
"Ji nahi" Mehta ne fauran jawab diya "Asal mein Mrs. Rana ki tabiat kuchh theek nahi chal rahi hai aur Doctor ne unhein travel karne se bilkul mana kiya hua hai. Meeting isliye unke ghar par hi hogi"
Mujhe koi idea nahi tha Rana ka ghar kahan hai.
"Ok. Aap mujhe ghar ka address de dijiye aur time bata dijiye. Main pahunch jaoonga" Maine kaha.
"Uski zaroorat nahi hogi. Aap khud time bata dijiye mujhe, gaadi aapko ghar se hi pick kar legi. Aur vahan se airport le jaayegi"
"Airport?" Maine chaunkte hue puchha.
"Ji haan" Mehta ne kaha "Mr. Rana ka personnal chopper vahan se aapko unke residence tak le jaayega"
Ab tak mujhe samajh aa gaya tha ke baat Delhi se kahin bahar jaane ki ho rahi hai.
"Aur vahan se kahan le jaya jaayega mujhe?" Maine sawal kiya.
"She lives in Himachal" Mehta ne jawab diya "They have lived there all their lives. Shimla se aage apni estate hai unki"
"All right" Maine kaha "Sunday subah 10 baje tak i will be ready"
Mehta se baat karne ke baad main party mein toh vaapis aa gaya tha par dhyaan mera poori tarah isi baat par atak gaya tha ke aakhir Rana jaise bade logon ko mujh jaise ek mamuli journalist se kya kaam. Poori raat aur agle 2 din tak main isi baare mein sochta raha par lakh koshish ke baad bhi samajh nahi aaya ke mujhe Mrs. Rana ke darbar mein kyun pesh kiya ja raha tha. Apni poori zindagi ko maine 50 baar apne dimag mein rewind aur fast forward kiya par kahin bhi aisa kuchh nahi mila jiska connection Rana family se jud raha ho.
Except for that story jo hamare paper mein chhapi thi par vo article bhi khaas taur se Rana family par nahi tha. Vo toh is desh ke sabse ameer logon ke baare mein tha aur is lihaaz se Rajinder Rana ka naam us list mein tha.
Aur vo article mera bhi nahi tha, kisi aur ne likha tha.
Thak kar maine haar maan li aur ye sochkar apne dimaag ko tasalli di ke jo bhi vajah hai. Sunday ko pata lag hi jaani hai.
Sunday ko subah 10 baje ek Mercedes ne mujhe mere ghar se pick kiya. Aur Mercedes bhi India made nahi, imported yaani ke right hand drive wali. Zindagi mein pehli baar main itni mehengi gaadi mein betha tha. Driver ne bhaag kar fauran mere liye gate khola aur is tarah se pesh aaya jaise main kahin ka maharaja hoon.
Aur phir us din kayi aisi cheezen hui jo meri zindagi mein pehli baar hui thi.
Jaise ke zindagi mein main pehli baar ek Helicopter mein betha. Plane mein maine travel kiya hua tha par ek private Helicopter mein tavel karne ka ye mera pehla chance tha.
Zindagi mein main pehli baar ek aise ghar mein ghusa jiski har cheez se paisa jhalak raha tha. Jahan mujhe aisa laga ke shayad toilet paper ki jagah bhi 500 aur 1000 ke note hi istemaal kiye jaate honge.
Zindagi mein pehli baar ek aise insaan se mila jiski aukaat mujhse itni zyada thi ke main jitna zindagi bhar mein kama na pata usse zyada vo chande aur bheekh mein de sakti thi.
Yani ke Mrs. Bela Rana
 
306
58
28
Delhi se take-off karne ke takreeban aadhe ghante baad hi hamara chaopper pahadon ke uper udne laga.
"Kitna time lagega?" Maine saamne bethe Mehta se puchhha.
"Bas pahunchne hi wale hain, kyun kya hua?" Usne jawab diya toh maine apni chhoti ungali uthayi.
"Subah se 3-4 cup coffee pi chuka hoon"
"Ha ha ha, Dont worry. Pahunchne hi wale hain"
Mehta umar mein koi 50-60 ke beech hoga. Gol chehra, aadha ganja ho chuka sir, bahar nikla pet. Kad uska kam se kam 6 ft hoga aur phir motape ki vajah se vo ek chalta phirta giant lagne laga tha. Jitni jagah par vo akela betha tha usmein mere jaise kam se kam 2 fit ho sakte the.
Aksar jaisa ke dekhne mein aata hai, bade rutbe aur paise wale log bheed mein bhi alag hi chamakte hain. Saari zindagi A.C kamron aur gaadiyon mein rehne wale logon ke chehre ek aam aadmi ke chehre se kaafi hatkar hote hain, unhein dekh kar hi bataya ja sakta hai ke vo ek paise wale ghar se hain.
Aur is category mein bhi 2 qism ke log hote hain. Ek toh vo jinke pehnave aur rang dhang se aap unki haisiyat ka andaza laga sakte hain aur doosre vo jinka chehra dekh kar aur baat-cheet sunkar aap samajh sakte hain ke vo kisi bade ghar se hai bhale vo aam se kapdo mein hi kyun na ho.
Meri journalist aankhon ne aisa hi andaza Mehta ko bhi dekh kar lagaya. Us waqt sar se paon tak uski har cheez mehengi thi. Mehenga kaale rang ka suit, aankhon par gold rim wala chashma, Ungliyon par diamond rings, right hand par Platinum bracelet, left hand par golden watch, ar pairon mein chamak rahe mehenge joote. Uske haath mein pakda pen bhi us waqt mujhe yakeen tha ke meri 2 mahine ki salary se zyada ka hoga.
Par is saari chamak ke pichhe kahin use dekh kar ye andaza lagaya ja sakta tha ke ye saara paisa use zindagi mein hi mila hai, bachpan se nahi. Vo kahin kisi aam middle class ya gareeb ghar ki paidaish tha jise ye paisa zindagi waqt ke saath mila hai.
Is baat se bhi 2 andaze lagaye ja sakte the. Ek toh ye ke vo kaafi mehenti aur smart aadmi tha jisne bakhubi apni zindagi mein gareebi se ameeri tak ka safar poora kiya tha. Ya ye ke vo bahut hi makkar aur chaalu kism ka aadmi tha jisne apni haisiyat badhane ke liye zindagi mein sab kuchh kiya, bhale vo sahi ho ya galat.
Helicopter mein bethe mujhe zyada intezaar nahi karna pada. Thodi hi der baad pahadon ke beech Helicopter ek chhote se maidan jaisi jagah par neeche utar gaya.
Engine aur blades thame toh pilot ne hamein utarne ka ishara kiya. Apni taraf ka darwaza kholkar main bahar nikla, angdaai lete hue kamar sidhi ki aur chaaron taraf nigaah daudayi.
Agar ye kahun ke main us waqt jannat mein khada tha toh kehna shayad galat nahi hoga.
August ka mahina tha aur Delhi mein bhi pichhle ek mahine se baarishon ka mausam bana hua tha. Aisa hi kuchh nazara yahan pahadon mein bhi tha. Jis jagah main khada tha vo ek pahaad ke uper bana Helipad tha, ek chhota sa hari ghaas ka maidaan.
Phadon mein har taraf hariyali thi aur badal neeche utare hue tha. Aas paas dekh kar hi andaza lagaya ja sakta tha ke yahan abhi thodi der pehle hi baarish hui thi aur kisi bhi pal phir se ho sakti hai.
Helipad ke chaaron taraf ek kaante wali taar se baada bana hua tha aur ek taraf ek chhota sa gate tha.
"Chalein?" Mehta ne gate ki taraf ishara karte hue kaha.
Gate ke bahar ek BMW hamara intezaar kar rahi thi jo ke hamare bethte hi pahadon ke beech ghumaavdar sadar par aur uper chadhne lagi.
Takreeban 10 min ke baad car hamein lekar ek compound mein daakhil hui. Main apni taraf ka gate khol kar bahar nikla aur aas paas nazar daudayi.
Jis jagah mein khada tha vo shayad kisi pahad ka sabse upari hissa tha jise kaat kar ek chhote se samtal maidan mein tabdeel kar diya gaya tha. Chaaron taraf takreeban ek 4 ft oonchi boundary wall this jiske paar 3 taraf khaayi thi aur ek taraf pahad chadh kar upar gate tak aati vo sadak jisse ham log vahan pahunche the. Hairani ki baat ye thi ke vo ek kaafi badi jagah thi, itni badi ke usmein aaram se ek bada cricket stadium banaya ja sakta tha. Pahadon ke beech ek itni badi samtal jagah dekh kar hairani hona laazmi tha.
Compound ke ek kone mein ek khoobsurat ghar bana hua tha jiske saamne ek bada sa lawan aur khoobsurat garden tha. Ek taraf parking lot tha jismein 3 mehengi gaadiyan khadi hui thi.
Kehte hain ke insaan ki jeb mein paisa ho toh chehre par raunak apne aap hi aa jaati aur insaan apni asal umar se 10 saal pichhe hi chalta hai. Agar jeb mein paisa na ho, aur jaisa ke har middle class aadmi ke saath hota hai, 50 tak pahunchte pahunchte ghutne jawab dene lagte hain.
Aisa hi kuchh mujhe us din bhi dekhne ko mila.
Ham logon ko ghar ke andar le jaaya gaya aur ek behad aalishan drawing room mein bethaya gaya. Kuchh der baad ek aadmi aaya jo ke dekhne mein bilkul kisi filmon mein dikhaye jaane wale butler ke jaisa tha aur usne hamare liye kuchh khanne pine ka intezaam kiya. Aur kuchh der baad kamre mein daakhil hui Mrs. Rana.
Mere saamne bethi aurat umar mein kam se kam 65 ki rahi hogi par chehre, pehnaave aur shareer se vo 50 se zyada ki nahi lag rahi hai. Hamare desh mein jahan ek aam aurat 60 paar karne tak apni kamar pakad leti hai vahin mere saamne bethi Mrs. Rana ki na toh chaal mein unki umar se koi badlaav aaya tha aur na hi unke kisi aur haav bhaav mein.
Vo ek aisi aurat thi jiske paas be-intehaan paisa tha, duniye ki har cheez haasil thi aur use is baat ka bakhubhi ilm tha.
Vo kamre mein daakhil hui toh main fauran uth khada hua. Mera pehla reation poori tarah se ek medium class indian ka tha, yaani ke apne se umar mein bada koi buzurg agar saamne ho toh fauran haath jodkar namaste karne wala. Ek aisi aadat jo bachpan se hi hamein ghutti mein ghol kar is tarah pila di jaati hai ke zindagi ka ek zaroori hissa ban jaati hai. Aur uper se main ye ummeed kar raha tha ke vo pahadon mein rehne wali ek buzurg aurat hai toh yakeenan ek typical indian hogi,
Lekin mere anumaan ke bikul vipreet, us aurat ne aage badhte hue apna haath aage kiya jo maine darte jhijhakte aise milaya jaise duniya ke sabse naazuk aur anmol cheez ko pakad raha hoon. Vo boli toh munh se Hindi ki jagah angrezi ke bol nikle.
"Thank you for coming her and i am sorry that you were brought here so mysteriously, without any proper intimation that why are you here" Vo boli.
"Thats all right. I cant tell you how honored i am to meet you Ma'm" Maine muskurate hue kaha aur bethne laga.
"Why not?" Palatkar jawab aaya toh main bethta bethta ek pal ke liye thithka aur apni tashreef ko phir bade se aaramdeh sofe par rakh diya.
"Ji?" Maine sawaliya nazar se uski taraf dekha.
"Why cant you tell me? Kyun nahi bata sakte?"
Ji vo ...." Sawal aisa tha ke meri zubaan ladkhada gayi "Mere kehna ka matlab tha ....."
"Ham jaante hain aapke kehne ka matlab" Vo muskurayi toh meri jaan mein jaan aayi "Ajeeb zubaan hai angrezi bhi. Kehne wali baat ko ye kehkar kaha jata hai ke ham keh nahi sakte, sahi keh rahi hoon na main?"
"Ji bilkul" Maine fauran haan mein sar hilaya jabki haqeeqat mein toh mujhe samajh hi nahi aaya tha ke usne kya kaha.
Thodi der living room mein bethe rehne aur mere ek cup chaai khatam karne ke baad ham log ek bade se study type kamre mein gaye. Kamre mein chaaron taraf bani shelves par kuchh moti moti kitaaben rakhi aur ek kone mein ek badi si lakdi ki desk thi jiske pichhe jakar Mrs. Rana beth gayi. Vo Butler bhi hamare saath kamre mein hi aaya aur darwaze ke paas chup chap khada ho gaya.
"All right" Desk ke doosri taraf mere bethne ke baad Mrs. Rana ne kaha "Without wasting anymore of your time, main matlab ki baat karti hoon"
"Sure"
"Baat shuru karne se pehle main aapko ye batana chahungi ke ham aapko baare mein vo sab kuchh jaante hain jo ke jaanne layak hai"
"Main samjha nahi" Maine sawaliya andaaz mein puchha.
"Aapko yahan laane se pehle ya yun kahiye ke aapko contact karne se pehle hamne aapke baare mein pata karaya tha, aapke present aur past ki saari details ko kaafi closely read kiya tha"
"Kya pata karaya tha?" Is baat ne mujhe thoda pareshaan kiya.
"Yahi ke aap ek middle class family se hain, father government job mein the, aap kaafi ambitious hain aur zindagi mein kaafi aage badhna chahte hain"
"Ok"
"Ke aap ek widower hain. Aapki biwi ne 2 saal pehle suicide kar liya tha. Aapki ek 3 saal ki chhoti beti hai jo is waqt aapke maan baap yaani ke apne dada dadi ke saath rehti hai"
"Aur mere baare mein itni chhan been karne ki vajah?"
"Usse zyada important baat ye hai" Unhone meri baat ko ansuna kar diya "Ke aap apne kaam mein vakayi bahut achhe hain. Investigative journalism ko ek nayi definition di hai aapne. Kayi aise cases ko investigate karke close kiya hai jinpar Police tak give up kar chuki thi"
"All right, I get it. Sab jaanti hain aap mere baare mein. Ab sawal ye hai ke ye sab pata karne aur mere yahan hone ki vajah kya hai?"
"Vajah ye hai" Kehte hue unhone ek drawer se ek framed photograph nikali aur meri taraf badha di.
Vo ek full size photograph thi, ek lakdi ke frame mein sealed, jaisa ke aam taur par log apne ghar ki deewaron par tangate hain. Photo ke beech mein ek aurat ek sofe par bethi thi, ek aadmi uske theek pichhe khada hua tha aur uske dono taraf 2 takreeban 18-19 saal ke ladke khade the.
"Family photograph hai hamari, 22 saal pehli ki" Main photo dekh kar unki taraf nazar uthayi toh Mrs. Rana ne kaha.
"Photo ke beech mein aap bethi hain" Maine jawab dete hue kaha. Photo ke beech sofe par bethi aurat 22 saal purani Mrs. Rana thi. Photo ke nichle hisse mein ek taraf photo ki date likhi hui thi, July 13th 1991.
"Ji haan" Unhone meri baat ka jawab diya "Hamare pichhe hamare Late Husband khade hain, Mr. Rana"
Ye bhi main kuchh had tak samajh hi gaya tha ke photo mein pichhe khada aadmi unka pati, yani ke Shamsher Ji Rana, hi ho sakta tha jiski pichhle saal hi maut hui thi.
"Aur photo mein hamare dono taraf hamare 2 bete hain" Unhone kaha toh main chaunk pada. Ye mere liye ek nayi baat thi. Jahan tak mujhe pata tha, unka ek hi betha tha, Rajinder Rana.
"I didnt know you have 2 sons" Maine kaha.
"I dont" Unhone jawab diya "I did have 2 children aaj se 20 saal pehle tak but not anymore. Now i just have 1"
"Ji main samjha nahi"
"Matlab ye ke is photo lene ke baad se hi hamara ek beta, Ravinder Rana, lapata hai"
"Aapka matlab 1991 se?"
"Ji haan aur ham chahte hain ke aap uska pata lagayen"
Usne kaha toh mujhe laga ke shayad maine theek nahi suna.
"Aap chahti hain ke main aapke bete ki talash karun, jo ke pichhle 22 saal se lapata hai"
"Ji haan"
"Mrs. Rana is baat par sabse pehla sawal ye uthta hai ke is kaam ke liye aapko police ki madad leni chahiye. Aur doosra ye ke your son is missing for last 22 years, its not gonna be an easy job to find him even if he is ...." Main kehta kehta ruk gaya.
"Even if he is what?" Vo apni nazar mere chehre par gadate hue boli "Alive?"
"I am sorry i didnt mean any dis-respect?" Maine maafi mangne wale andaaz mein kaha.
"That is ok" Unhone halki muskurahat ke saath jawab diya "I understand and to be honest, kahin dil hi dil mein main ye baat jaanti hoon ke vo ab is duniya mein nahi hain. Hota toh kabka ghar aa chuka hota"
"Toh phir main .... " Mujhe samajh nahi aaya ke baat kaise poori karun.
"Aap ek mare hue insaan ko kaise talash karenge? Talash aapko mere bete ko nahi karna hai balki us vajah ko karna hai jiske vajah se vo lapata hua ya mara gaya. Main sirf itna jaanna chahti hoon ke kya hua uske saath taaki main chain se mar sakun. Agar vo kisi ke haath mara gaya toh main us insaan ka naam jaanna chahti hoon, apni maut se pehle us qatil ki maut dekhna chahti hooon"
 
306
58
28
"Ji main samajh nahi pa raha hoon. Aapke bete 20 saal se lapata hain aur aap chahti hain ke main pata lagaoon ke 20 saal pehle unke saath kya hua tha?
"Yes"
"Aap is baare mein police se kyun baat nahi karti? I am sure us waqt bhi police case toh hua hi hoga"
"Vo ek alag qissa ha ke hal police ki jagah aapse baat kyun kar rahe hain par jo bhi hai, is waqt ham ye chahenge ke is kaam ko aap anjaam dein. Toh kahiye, kya aap ye kaam karenge?
"I just can not say yes or nor, mujhe dekhna padega, aur details analyse karni padengi isse pehle ke main haan ya na bolun"
"Unfortunately ham is waqt aapko isse zyada kuchh nahi bata sakte. Is kahani mein hamari family ki kayi baatein included hain jo ham ghar se bahar nahi jaane de sakte. I can not afford to tell you my family's story to get a no in answer and watch you walk out of here"
"Mujhe nahi lagta ke aap is kaam ke liye sahi aadmi ko chun rahi hain" Maine apni anguli mein pehni sone ki anguthi ko ghumate hue kaha.
"Kyun? Mujhe toh bataya gaya tha ke aap is tarah ke hi kaam karte hain" Mere saamne bethi us boodhi aurat ne chashme ke pichhe se apni nazar mere chehre par jamate hue kaha.
"Ji nahi" Maine uski nazar se nazar na milate hue saamne rakhe chaai ke cup ko uthaya "Main ek reporter hoon, koi jasoos nahi. Is kaam ke liye aapko ya toh police ki madad leni chahiye ya kisi aise aadmi ki jo is tarah ke kaam ko bakhubi anjaam deta hai"
"Reporter?" Nazar mere chehre se hoti hui kamre ke ek kone mein khade butler ke chehre par pahunchi "Kya ye vahi aadmi hai jiske baare mein tumne bataya tha mujhe?"
"Ji haan, bilkul" Us aadmi ne fauran sar jhukate hue jawab diya.
"Vo tum hi ho jisne vo kahani chhapi thi, kisi aadmi ke baare mein jisne 2 khoon kiye the aur kabhi pakad mein nahi aaya tha?" Sawal is baar mujhse tha.
"Ji haan" Maine jawab diya.
"Aur tumhari kahani chhapne ke baad hi police ne usko pakda aur use saza hui?"
"Saza abhi nahi hui hai, case chal raha hai" Main janta tha ke ye baat kis taraf ja rahi thi "Par kaafi saboot hain aur 99% saza hi hogi"
"Toh matlab main bilkul sahi aadmi se baat kar rahi hoon" Is baar chehre par muskurahat thi.
"Aap ...." Maine kehna hi chaha tha ke meri baat kaat di gayi.
"Pehle mujhe poori baat keh lene do" Chashme ke pichhe se vo nazar phir mere chehre par jam gayi, jaise meri rooh ke andar tak jhaankne ki koshish kar rahi ho "Tum jitna bhi ek mahine mein kamate ho, is kaam ke badle main tumhein har mahine uska 10 guna dene ko taiyyar hoon, bhale kitna bhi waqt lage aur bhale nateeja kuchh bhi ho. Har mahine ki tumhari tankhwah se alag 10 lakh tumhein ham filhal denge, kaam shuru karne se pehle hi, aur agar tumne kaam poora kar diya toh ham tumhein iska 3 guna aur denge"
"Aur agar main koi nateeja nahi nikaal paya toh?"
"Toh bhi ye 10 lakh tumhare"
Maine dil hi dil mein andaza lagaya, agar main 1 mahine bhi is kaam par raha toh 15 lakh kahin nahi gaye. Aur agar kaam ko poora anjaam diya toh aaram se 50 lakh tak bana sakta hoon. Ek aisi rakam jo agar main din raat kaam karun toh kamane mein shayad mujhe agle 10 saal aur lag jaane hain.
"Mujhe sochne ke liye ek din dijiye"
"Theek hain, aap hamein kal tak jawab de sakte hain. Achhe se sochiyega, ek insaan ke baare mein pata lagane ke liye ye bahut badi rakahm hai."
"Ji haan" Maine haami bhari "Par jis insaan ki aap baat kar rahi hain vo 20 saal se lapata hai"
"Filhal aap chahen toh apne ghar vaapis ja sakte hain ya phir chahen toh hamare guest house mein kal tak ruk sakte hain. Jaisi aapki marzi ho, Liyaqat ko bata dijiyega" Meri baat ko ansuna karte hue vo uthkar kamre se bahar nikal gayi.
 
306
58
28
Chapter 2 - A Vacation Starts

Sunday ka din tha, mausam achha tha aur jagah kaafi khoobsurat.
"Ab yahan aa hi gaya hoon toh aaj chhutti ka dil Delhi ki bheed bhaad aur pollution mein bitane se behat hai ke yahin ruk jaoon" Ye sochkar main us din ghar vaapis nahi gaya aur Ranas ke guest house mein hi ruk gaya.
Takreeban 2 baje ke kareeb vo Butler, jiska naam mujhe Liyaqat bataya gaya tha, mujhe guest house mein chhod gaya. Guest house kya, Mrs. Rana ke ghar se thoda door hatkar bana ek khasa bada wooden cottage tha.
"Lunch mein koi preference?" Jaate jaate usne mujhse puchha.
"Nahi jo bhi is waqt available ho, kaafi bhookh lagi hai" Main jawab diya.
Takreeban 15-20 mein baad hi 2 naukar lunch lekar aa gaye.
"Ye kaun si jagah hai?" Vo dono table par khana laga rahe the toh maine sawal kiya.
"Ye Chail hai sahab" Ek ne jawab diya.
Chail ka naam maine suna hua tha, Shimla se kuchh door basa ek chhota sa kasba.
"Asal mein Chail yahan se takreeban 7 kilometre hai" Doosre na kaha "Ye jagah Chail se thoda bahar hai. Aur yahan se thodi door aage hi Solan hai"
Solan ka naam bhi maine suna hua tha. Ek aur chhota sa kasba.
"Yahan dekhne ko kya hai?"
"Aise toh kuchh khaas nahi hai Sahab, yahi sab pahad jungle vagerah hai" Pehle wale ne jawab diya.
"Idhar Kaali ka Tibba hai, udhar ja sakte hain aap ghoomne ko. Achha mandir bana hua, kaafi shaant jagah hai aur vahan se Sunset bahut achha dikhta hai"
"Kitna door hai yahan se?"
"Paas hi hai, aap udhar khidki se bahar ko dekhenge toh pahadi ke uper mandir dikhai deta hai"
"Paidal ja sakta hoon"
"Haan aise hi tehelte tehelte nikal sakte hain" Kehkar vo mujhe rasta batane laga.
Khana laga kar vo dono chale gaye. Lunch karne ke baad maine ghadi par nazar daali toh 3 bajne wale the. Kal raat main dhang se soya nahi tha isliye thodi thakaan ho rahi thi. Mausam mein halki thandak thi, shaant jagah aur bharpet khana, nateeja ye hua ke mujhe halki halki neend aane lagi. Maine apne cell mein 2 ghante baad ka alarm lagaya aur bedroom mein jakar let gaya.
Thakaan hone ki vajah se let-te hi meri fauran aankh lag gayi aur sidha 5 baje alarm bajne par khuli. Angdaai lete hue maine bistar chhoda aur aadat ke mutaabik uthte hi sabse pehle ek cigarette sulgayi.
Mujhe ek cup chaai ki sakht talab ho rahi thi par dikkat ye thi ke chaai ka intezaam kiya kaise jaaye. Mera pehla khyaal tha ke us butler Liyaqat ko kahun ya jo 2 naukar mujhe khada dene aaye the unse kahun. Sochte hue maine phone uthaya aur aas paas koi phone-book ya diary talash ki jisse ke mujhe kitchen ya Mrs. Rana ke ghar ki koi extension mil jaaye, jaisa ke aksar hotels mein hota hai. Par jaisa ke ye koi hotel nahi tha toh mujhe aisa koi phone number bhi kahin likha nazar nahi aaya.
Maine phone vaapis neeche rakha aur living room mein aaya. Mera doosra khyaal bhi sahi saabit hua. Is guest house mein ek kitchen bhi tha. Main kitchen mein pahuncha aur khud chaai banane ke khyaal se fridge khola par afsos ke vahan doodh nahi tha.
Hatash main kitchen se bahar aaya aur doosri cigarette sulga kar living room ki khidki se bahar dekha.
Mrs. Rana ke ghar ki tarah hi ye guest house bhi ek pahad ke bilkul kone par bana hua. Khidki ke bahar takreeban 3-4 meter jagah thi, kisi balcony ki tarah, jispar ek takreeban 2 feet oonchi railing lagi hui thi. Railing ke doosri tarah pahad ki dhalaan thi, yaani ke ek gehri khaai.
Bahar ka mausam ab thoda badla hua tha. Jahan 2 ghante pehle aasman mein badal the aur lag raha tha ke kisi bhi pal baarish ho jaayegi, vahin ab halki halki dhalte hue sooraj ki dhoop pheli hui thi. Badal chhat chuke par hawa mein ab bhi halki nami aur thandak thi. Khoobsurat wadi ka jaayza lete hue meri nazar thodi door nazar aa rahe ek pahad ki choti par bane mandir par aakar ruki.
Mujhe us naukar ki baat yaad aayi ke vo ek kaali ka mandir tha aur vahan se sunset ka view bahut achha milta tha. Maine joote pehne aur guest house se bahar aaya aur andaze se us mandir ki disha mein chal pada. Thodi door chalne ke baad ek aadmi nazar aaya jo pehnave se pahadi hi lag raha tha. Maine usse mandir ka raasta puchha aur uski batayi disha mein chal pada.
Mandir andaze se zyada hi door saabit hua. Vahan pahunchne tak mujhe aadhe ghante se zyada waqt lag gaya aur tab tak sooraj dhalna shuru ho gaya tha. Jab main vahan pahuncha toh Shaam ke 6 baj rahe the aur us vahan bas ek main akela hi tha. Mandir ka darwaza band tha. Maine yun hi tehelte hue mandir ka ek chakkar lagaya aur boundary wall ke paas aakar khada ho gaya. Nazar vaadi par daali toh mere samne meri zindagi ka sabse khoobsurat nazara tha.
Sorraj dheere dheere dhal raha tha, har pal rang badal raha tha aur uske saath hi rang badal rahe the aasman mein pheli badal ki chhoti chhoti tukdiyan. Kahin laal, kahin neela toh kahin gulabi. Lag raha tha ke door shitij par jaise ek jwalamukhi phat pada ho aur garam lawa phoot kar har taraf bikhar raha ho. Neeche wadi mein koi kasba tha jo ke maine andaza lagaya ke Solan hi ho sakta tha. Kasbe ke gharon ke lights on honi shuru ho gayi thi. Aasman ka rang dheere dheere neele se gulabi, phir gehra laal, phir halka laal aur phir dheere dheere kala hone laga.
Maine jaane kitni der tak Mandir ki deewar ke paas khada vo nazara dekhta raha. Ajeeb sammohit kar dene wala drishya tha. Achanak mandir bajni shuru hui toh mera dhyaan toota aur maine palat kar mandir ki taraf dekha jiska darwaza ab khula hua tha aur andar aarti shuru ho chuki thi. Main deewar se hata, chal kar mandir ke darwaze ke paas aaya, joote utare aur sidhiyan chadh kar andar daakhil hua.
Andar sirf 3 hi log maujood the. Ek 30-35 saal ka aadmi dhol par thaap de raha tha, ek 15-16 saal ka ladka ek bada sa ghanta baja raha tha aur ek pujari zor zor se aarti ga raha tha. Main bhi andar aakar unke saath kaali mata ki moorti ke aage haath jodkar beth gaya.
Aarti khatam hone ke baad maine prasad liya aur mandir se bahar nikla. Bahar ghana andhera phel chuka tha. Jahan tak mandir ki lights aa rahi thi vahan tak toh theek, uske baad andhera itna ghana ho gaya ke haath ko haath na soojhe. Maine aasman ki taraf nazar uthayi toh na chand nazar aaya aur na sitare yaani ke badal ek baar phir ghirne shuru ho gaye the.
Main ajeeb museebat mein pad gaya. Chaaron taraf ghor sannata, ghana andhera aur main akela. Ajnabi jagah aur guest house yahan se khaasi door tha. Maine apna cell nikal kar keys dabayi aur screen ki jo bhi na ke barabar roshni hui, usi ke sahare sadak ka andaza lagata vaapis guest house ki taraf badha.
Kismet se thodi hi der baad chand ne badalon ke pichhe se sar uthaya aur har taraf halki chandni phel gayi. Jo sadak ab tak nazar nahi aa rahi thi ab dikhayi dene lagi. Maine rahat ki saans li aur kadamon ki tezi badha di.
Chalte chalte meri soch us baat par aa gayi jiski vajah se main yahan tha. Kaam zyada mushkil nahi tha, sirf ek mare hue aadmi ke baare mein pata lagane ki koshish karni thi. Main vaise bhi Delhi mein poora din aise hi gade murde ukhadta phirta tha, is koshish mein ke kahin se kuchh aisa mil jaaye jisse ke kahani bana kar likha ja sake. Toh kyun na aise hi gade murde ukhadne ki koshish yahan ki jaaye. Kahani yahan bhi dhoondhni thi par farak sirf itna tha ke is baar kahani ek akhbaar mein chhapne ke bajaay sirf ek boodhi aurat ko sunani thi jo ke asal mein apne aap mein ek achhi baat thi. Kahani vahi hogi jo ke main use sunaoonga aur uske paas sivaay meri baat ka bharosa karne ke aur koi chara nahi hogi. Na toh meri kahani pe sawal karne wala koi hoga aur na hi kisi ko isse pareshani.
And on top of it, paisa achha khasa hai.
Apni soch mein gum main chala ja raha tha ke pichhe se aati ek gaadi ki headlights ne sadak ko roshan kar diya. Main sadak se ek taraf hat kar khada ho gaya. Gaadi nazdeek aayi par guzri nahi, mere saath aakar hi ruk gayi. Driving seat par ek aurat thi.
"Hi" Usne muskura kar meri taraf dekhte hue kaha.
 
306
58
28
"Going towards the guest house?" Usne mujhse sawal kiya
"Yeah" Maine hairani se jawab diya
"Come, i will drop you. Its quite a walk after it gets dark around here" Usne pessenger seat ka gate kholte hue mujhe andar aane ka ishara kiya.
"Ummmm" Main car mein bethne se thoda jhijhka,
"Oh relax " Vo meri jhijhak dekh kar muskurate hue boli "I am not kidnapping you or something. I know who you are and why you are here. My name is Sakshi Rana"
Ye naam main janta toh nahi tha par naam ke pichhe lage Rana shabd se andaza lagaya ke koi Bela Rana ki rishtedaar hi hogi. Main gaadi ke andar beth gaya.
"Went to Kaali ka Tibba?" Usne gaadi aage badhayi.
"Yeah, went out for an evening stroll and aapke naukar ne bataya tha ke vahan se sunset view kaafi achha hai toh us taraf hi nikal gaya"
"Quite a sight, isnt it?"
"It sure is. Like nothing i have ever seen in my life"
"And in case you are wondering, Bela aunty meri Bua hain" Usne apne baare mein bataya aur uske baad ka safar khamoshi se hi kata. Na vo kuchh boli aur na hi main.
Takreeban 15 min baad usne mujhe guest house ke aage drop kar diya. Maine Thanks kaha aur isse pehle ke aage kuchh aur keh pata, usne muskura kar meri taraf haath hilaya aur gaadi aage badha di.
Vo poori raat ajeeb si udhed-bun mein hi beet gayi. Jahan ek taraf main ye case accept karna chahta tha, vahin doosri taraf dil mein ek ajeeb si jhijhak mehsoos ho rahi thi. Ye sach tha ke maine is tarah ki investigation pehle ki hui thi par baat same hote hue bhi alag thi. Isse pehle main jo bhi karta tha, maksad sirf ek kagaz yaani ke newspaper par chhapna hota tha. Bhale likha kisi ne bhi ho, chhap jaane ke baad zimmedari newspaper ki hoti thi.
Par ab mamla alag tha. Yahan kuchh bhi chhapne ke liye nahi tha. Yahan toh ek tarah se sirf jasoosi hi thi, jaisa ki aksar novels aur movies mein hoti hai.
Jo ek plus point mujhe baar baar haan bolne ke liye uksa raha tha vo thi inaam mein di ja rahi ek moti rakam.
Raat der tak jaagte rehne ke baad bahar sofe par bethe bethe hi meri aankh lag gayi. Subah darwaze par knock karne ki aawaz se neend tooti toh bahar halki dhoop phel chuki thi. Maine ghadi ki taraf dekha toh subah ke 9 baj rahe the.
"Aapka breakfast sir" Gate khola toh bahar vahi kal wale 2 naukar trays mein breakfast liye khade the. Is baar saath mein Liyaqat bhi aaya tha.
"Raat kaisi rahi aapki?" Naukar table par nashta lagane lage toh Liyaqat ne mujhse puchha.
"Theek thaak, raat mein kaafi sardi badh jaati hai yahan"
"Haan yahan toh 12 mahine mausam thanda hi rehta hai aur filhal baarish ho rahi hai toh thandak raat hone tak badh jaati hai"
"Thanks" Ek naukar ne chaai cup mein dalkar meri taraf badhayi.
"Aap taiyyar hokar nashta kar lijiye. Madam aapko yaad kar rahi hain" Liyaqat ne kaha.
"Yeah sure"
Main haath munh dhoya aur nashta karke ek baar phir Mrs. Bela Rana ke huzoor mein haazir hua. Aane se pehle main apne Boss ko phone karke keh diya tha ke aaj office nahi aa paoonga.
"How do you like the place?" Mrs. Rana ne mujhse puchha. Ham ek baar phir unki us badi si study mein bethe the.
"You mean the study?"
"No, this entire place. The town, the hills, the valley, everything"
"Its beautiful" Maine muskurate hue jawab diya.
"Toh kya decide kiya aapne?"
"I will do it" Maine kaam ke liye haan bol di.
"Oh great, i am glad you made that choice"
"Par ...."
"Par?"
"Par sawal ye hai ke main Delhi mein rehte hue is kaam ko anjaam kaise de sakta hoon?"
"Aap Delhi mein nahi rahenge"
"Nahi?"
"Aap yahin rahenge, hamare saath. Jab tak kaam poora nahi ho jata, vo guest house aapka hai"
"But i have a job to go to everyday"
"For now you dont. Think of this as a long holiday, ek lambi si chhutti samajh lijiye. Aur jahan tak hamein aapke baare mein pata chala hai, aapne apni biwi ki maut ke baad se kabhi kaam se chhutti nahi li, ek din ki bhi nahi. So in a way, its a holiday that has been long due"
"I dont know how long this might take" Maine sar hilate hue kaha "They will fire me"
"No they wont" Mrs. Rana ne apne chashme ke pichhe se meri taraf dekhte hue kaha "I will make sure they dont"
"You can do that?"
"I am a rich woman with contacts, ye toh bahut chhota sa kaam hai. Aur kya farak padta hai, is kaam ke liye jitna paisa ham aapko de rahe hain utne mein toh aap apna khud ka koi xxxxxa mota business shuru kar sakte hain. 9 to 5 ki job ki zaroorat hi nahi rahegi aapko iske baad"
"Yeah i guess you are right" Maine sehmati jatayi.
"All right then, its a deal" Kehte hue vo kamre ke kone mein Liyaqat ki taraf palti aur use kuchh ishara kiya "I have arranged for your flight home. Aap ghar jakar jo koi zaroori cheez laani ho vo le aayen. Agar aap aaj hi vaapis aana chahen toh aaj aa jaayen or in case you want to take a couple of days before you start then this is my card. It has my phone number on it. Jab aap vaapis aane ke liye taiyyar hon toh hamein phone kar dijiyega, i will arrange for the chopper to get you here"
Unhone apna business card meri taraf badha diya aur tab hi Liyaqat ek briefcase liye desk tak aaya aur Mrs. Rana ki taraf badha diya.
"Give it to him" Mrs.Rana ne usse kaha toh usne vo briefcase mujhe thama diya "As promised, ismein poore 10 lakh hain. Cash ham isliye de rahe hain kyunki aksar log is tarah ki moti transactions apne financial records mein reflect nahi hone dete. It attracts unwanted attention you know but if you like, a wire transfer to your account can also be arranged"
"No thats fine, i can take the cash"
"Aap hamara ye kaam anjaam dijiye, get me the inforamtion i need and i promise you, you will see a briefcase much larger than that and filled with an amount much bigger than that"
 
306
58
28
Chapter 3 - The Twins

3 din baad main ek baar phir Mrs. Rana ke guest house mein tha aur is baar kyunki mujhe pata nahi tha ke main yahan kitne din rehne wala hoon, isliye poori taiyyari ke saath aaya tha. Office se maine ek lambi chhutti le li thi jiske mera Boss bilkul khilaff tha, khaas taur se tab jab maine ye kaha ke main nahi janta ke ye chhutti kitni lambi hogi. Chhutti shayad milti bhi nahi agar main resign karne ki dhamki na deta.
"Can i come visit you Daddy?" Mera 3 saal ka beta Vikram badi masoomiyat ke saath mujhse phone par puchh raha tha.
"Of course you can come visit me anytime honey" Maine haste hue jawab diya.
Phone par ek pal ke liye khamoshi hui aur phir Kamini ki aawaz aayi.
"You better not be lying to your son"
"I am not" Maine kaha "Vo toh mom nahi maani yahan aane ko varna main use yahin le aata. Akele Vikram ko yahan la nahi sakta kyunki vo chhota hai"
"Well you could have asked me"
"Asked you what, to come here with me to take care of Vikram?"
"Yep"
"Yeah right, like you dont anything better to do in your life"
"I dont" Usne bahut serious andaaz mein kaha.
Kamini meri bachpan ki dost thi. Uske father mere Dad ke bahut achhe dost the aur ham dono bachpan se hi saath pale badhe. Main janta tha ke vo bachpan se hi mujhse pyaar karti thi aur is baat ka vo khud bhi mere saamne iqraat kar chuki thi. Par mere liye hamesha vo dost hi rahi. Aisa nahi tha ke maine koshish nahi ki.
Vo ek bahut achhhi ladki thi aur hamare gharwale bhi yahi chahte the ke ham dono shaadi kar lein. College mein aur uske baad maine koshish ki bhi thi ke Kamini ko ek girlfriend aur future wife ke nazariye se dekhne ki koshish karun par kar nahi paya. Vo mere liye hamesha meri dost hi rahi. College mein mujhe Renuka mili, mujhse usse pyaar hua aur phir hamne shaadi kar li.
Aur ab jabki meri biwi ko guzre 2 saal ho chuke hain aur meri zindagi mein ladki ke naam par sirf ek Kamini hi hai, ab bhi main use sivaay ek dost ke kisi aur nazariye se dekh nahi pata. Ye jaante hue bhi ke vo meri sirf ek haan ka intezaar kar rahi. Mujhe maalum tha ke vo mere bete se bahut pyaar karti hai, uske liye ek achhi maan saabit hogi aur mere liye ek achhi biwi par zindagi mein phir se ek aurat ko biwi ka darja ab main nahi de sakta tha.
Jo mere aur Renuka ke beech hua tha uske baad toh nahi.
"Arrey tum toh serious hi ho gaye, dont worry i am not forcing myself on you. I was just saying" Doosri taraf se Kamini ki aawaz aayi.
"I know. Anyways, i will talk to you later. Need to go meet someone"
"Oh really ?" Vo shokhi bhare andaaz mein boli, "kaun hai, A woman?"
"As a matter of fact yes" Maine bhi usi andaaz mein jawab diya.
"OK" Usne hairat bhara lamba sa okay kaha "Kaun hai?"
"Hai koi"
"Is she pretty?"
"Haan ek waqt pe khoobsurat toh zaroor rahi hogi"
"Ek waqt pe? Kyun ab kya? Khoobsurati kisi ko udhar de aayi?"
"Nahi vo de nahi aayi, koi zabardasti leke chala gaya?"
"Kaun?"
"Waqt"
"Kya matlab?"
"Matlab ke dhalti umar ke saath khoobsurati bhi dhal gayi"
"What?" Vo na samjhne wale andaaz mein boli.
"Ab ek 70 saal ki aurat toh mere taste ke hisaab se khoobsurat nahi ho sakti na?"
"Aur kaun hai ye 70 saal ki aurat?"
"Meri client"
"Kaun?"
"Baad mein bataoonga, ab jaane do mujhe"
Kamini aur apne bete se baat karne ke baad maine kamre par ek nazar daali. Saman maine abhi tak unpack nahi kiya par vo sab karne se pehle Mrs. Rana se milkar aana tha
Thodi der baad ham ek baar phir usi badi si study mein ikatthe hue. Main. Bela Rana aur vo Butler Liyaqat jo mujhe samajh nahi aata tha ke kyun har waqt sar pe bana rehta hai.
"As i told you before, you need to find out about my other son" Formal greetings khatam hone ke baad Mrs. Rana ne kaha.
"I understand" Maine jawab diya "I will need to get as many details as possible like since when he is missing, who was the last person to see him, what happened after he disappeared, jo police case hua tha uska kya result nikla, what were his habits, where he used to go, what he looked like"
"20 years ago he looked like him and if he is still alive today somewhere, i am sure he still looks like him" Kehte hue Bela Rana ne apni study table par rakhi ek framed photograph meri taraf ghuma di.
Tasveer mein jo insaan tha use main bakhubi pehchanta tha. Vo Rajinder Rana tha.
"Thats my son, Rajinder" Vo boli.
"I know. So you mean to say that he resembled his brother?"
"Not resembled, they were a 100% copy of each other. Judwa the dono"
"Twin brothers?"
"Yes. Shakal, kad kathi, aawaz, sab ekdam ek doosre ki hubahu tha"
"Hmmmm, thats interesting"
"Dono agar ek saath khade ho jaayen toh pehchanna mushkil tha. Main ek maan hote hue bhi sirf isliye dono ko pehchan paati thi kyunki unmein se ek apaahij tha"
"Apaahij?"
"Ji haan apaahij" Kehte hue unhone darwaze ke paas khade Liyaqat ki taraf dekha "Ek cup coffee ke liye boliye"
Liyaqat ne fauran hukum baja lane wale andaaz mein apna sir hilaya aur darwaza kholne laga.
"Rukiye" Mrs. Rana ne kaha aur mujhse mukhaatib hui "Aap lenge?"
"Yeah sure"
"2 cup le aaiye aur kuchh khaane ka bhi intezaam karaiye" Unhone phir Liyaqat se kaha.
"Ji zaroor" Liyaqat darwaza khol kar bahar nikal gaya.
Ab kamre mein sirf main aur Mrs. Rana reh gaye the.
"Ab jo ham aapko batane ja rahe hain, aur iske baad bahut kuchh jo aap khud pata lagayenge, hamare pariwaar ki niji baatein hain. Kayi baatein aisi hongi jo shayad har ghar ki kahani ka ek hissa hain aur unhein jaanne mein kisi ki dilchaspi nahi hogi par kuchh baatein aisi hain jo agar hamare ghar se bahar gayi toh is pariwaar ko khasa nuksaan pahuncha sakti hain jo ke ham bilkul nahi chahte"
"Aap bilkul befikar rahiye, hamare beech ki baat sirf ham tak rahegi"
"Aap itne yakeen se kaise keh sakte hain? After all, isse pehle jo kuchh bhi aap pata lagate the, uske pichhe sirf aur sirf yahi maksad hota tha ke usko mirch masala laga kar hawa mein udaya ja sake taaki log maze le lekar padhen aur aapka newspaper aur zyada bikey"
"I cant say that i dont agree with you on that" Maine muskurate hue kaha "Par Ma'm aap khud is waqt apni hi baat se contrast kar rahi hain. Ek taraf toh aapne khud mujhe yahan isliye bulaya hai ke maine kuchh investigate kar sakun aur doosri taraf aap khud hi mujh par shak kar rahi hai, mujhe batane se jhijhak rahi hain"
"I guess you are right" Vo bhi meri baat sunkar muskurayi "But one cant be too careful in these matters"
"I agree, par aap befikar rahiye. Ye sahi hai ke isse pehle main jo bhi investigate karta tha vo isliye tha ke use newspaper mein chhap sakun par vo mere apne liye nahi tha"
"How do you mean?"
"I was merely serving in the interest of the party that employed me Ma'm which in previous matter was my newspaper. Main vahan kaam karta tha aur unka fayda sirf is baat mein tha ke main investigate karke kahaniyan laoon aur akhbaar mein chhapun jo ke main karta tha. Par filhal meri employer aap hain aur aapka fayda sirf is baat mein hai ke main jo bhi pata lagaoon vo sirf apne tak rakhun. I know how to serve in the best interest of the party paying me so you can rest assured. Main bahut achhi tarah janta hoon ke kuchh raaz sirf chhupaye rakhne ke liye hote hain kyunki unko sivaay aapke aur koi samajh nahi sakta"
Ye kehte hue mera Dhyaan apni guzar chuki biwi ki taraf chala gaya. Uske aur mere beech jo hua tha vo ek aisa kissa tha jo sivaay mere aur koi nahi samajh sakta tha. Ek aisi sachchai jo sirf main jaan aur samajh sakta tha.
"I trust you on that. Aap ek samajhdaar aadmi hain and i hope you wont mind when i asked you to sign a confidentiality agreement between us?"
"Of course not" Maine jawab diya "Aap jab kahen main confidentiality agreement par sign karne ke liye taiyyar hoon"
"Maine Mr. Mehta se keh diya hai and he is preparing a document. Thanks for understanding that" Mrs. Rana ne muskura kar jawab diya.
Tabhi Liyaqat ek tray mein 2 cup coffee aur ek tray mein kuchh biscuits lekar aa gaya aur table par hamare saamne lagane laga.
"So as i was saying, mere 2 bete the. Rajinder aur Ravinder, dono judwa"
"Ok" Kehte hue maine apni jeb se ek notepad nikala aur pen se uspar notes banane laga. Ek baat jiski hairat mujhe hui vo ye the ke unhone Liyaqat ke saamne hi mujhe sab batana shuru kar diya tha jabki main ummeed kar raha tha ke vo uske bahar jaane ka intezaar karengi.
"Yun toh hamare paas bhagwaan ka diya sab kuchh tha aur aaj bhi hai par vo kehte hain na kabhi kisi ko poora jahan nahi milta, or something like that in shayari language"
"Kabhi kisi ko muqammal jahan nahi milta, kabhi zameen toh kabhi aasmaan nahi milta" Maine jawab diya.
"Yeah that. Toh aapko shayari mein bhi interest hai"
"Nahi not really, par ye kaafi famous hai isliye yaad tha"
"Hmmmm, anyways aisa hi kuchh hamare saath bhi hua tha. Yun toh bhagwaan ne dene ke liye hamein sab kuchh diya tha par ek kami hamare andar bhi chhod di thi. Ek aisi cheez jiski ek aurat ko sabse zyada aas hoti hain. Maan banne ka sukh"
"Main samjha nahi"
"Rajinder aur Ravinder se pehle hamne 3 aur bachchon ko janam diya tha par they were all still-born"
"Matlab paidaish ke waqt hi ...."
"Ji haan" Unhone meri baat poori karte hue kaha "Vo teeno hamari kokh mein hi dam tod chuke the. They were all born dead"
"Oh, i am sorry"
"Sabse pehla ek ladka tha. Uske paida hone se pehle hamari kokh men hi zindagi uska saath chhod chuki thi. Doosri paidaish ek ladki thi aur teesra phir se ek ladka par unke saath bhi vahi hua jo hamare pehle bete ke saath hua tha. Vo is duniya mein aaye toh par kabhi saans nahi li"
"Oh"
"But as they say, things happen for the best"
"Ji?"
"You see kudrat ka mazak hamare saath ye nahi tha ke hamare bachche zinda nahi the. Mazak ye tha ke all those children were deformed"
"Deformed?"
"Ji haan, they were not healthy children. Har case mein doctors ne hamein yahi bataya ke hamare bachche mein kahin na kahin sharirik taur par koi kami thi. Jaisa ke hamare pehla beta, agar zinda rehta, was born blind. Vo zindagi bhar andhere mein hi jeeta. Aur aisi hi sharirik kamiyan hamare baaki 2 bachchon mein bhi thi"
"Ok"
"Toh unhein is duniya mein na aane dekar kudrat ne shayad un masoom bachchon par ehsaan hi kiya tha, saza toh bhagwaan hamein de raha tha, na jaane kis baat ki"
Is saare kisse ke dauran Liyaqat ab bhi darwaze ke paas sar jhukaye khada sun raha tha par Mrs. Rana ko uske saamne ye sab batate koi hichak nahi ho rahi thi jisse main sirf yahi andaza laga sakta tha ke Liyaqat ye sab baatein already janta tha.
"Iske baad hamne har tarah ki dawa aur dua dono ki. Hamare pati hamse bahut pyaar karte the isliye bavajood iske ke ham unhein ek waris tak nahi de pa rahe the, unhone hamein chhoda nahi balki hamare saath rahe. Hamne bahut doctors ko consult kiya, jaane kitne mandir aur masjidon mein matha teka, peer pujariyon se taveez karaye aur shayad phir bhagwaan ko ham par taras aa gaya. Hamare pet mein phir zindagi ne janam liya aur is baar ek nahi do ne"
"You mean your twins"
"Yes par is baar bhi kudrat ne hamare saath dillagi karna chhoda nahi. Hamare 2 bachchon mein jahan ek poora tarah healthy tha vahin hamara doosra beta was again a born handicapped"
"Ok"
"We named them as Ravinder and Rajinder. Ravi poori tarah se healthy tha kahin koi kami nahi thi par Raj was a born mute and his left side of the body was not functioning normally. Vo bachpan se hi bol nahi sakta tha, uski left arm is completely dead and uski left leg is a bit shorter than his right isliye vo hamesha se langda kar chalta hai"
 

Top