Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Eaten Alive
4,118
4,186
143
Manisha bahut bariki se Sarita ko observe kar rahi thi.
aur ishe kehte hai khali dimag shaitan ka dimag :D
Haaraman manisha opps sorry..... Matlab anpadh gawar jaahil manisha ko kuch karne ko to hai.... So ab sarita ko hi target bana rahi hai ..
isse pata chale ki manisha kitni badi hawas ki pujaran hai :roflol:

Are ProfessorPo sahab DREAMBOY40 sahab is manisha ko apni stories pe le jaaiye..... aap logo ki story pe bilkul fit baithegi manisha... itni badi hawas ki pujaran hai wo :D
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
UPDATE- 99


Isi tarah Din pe din bitne lage. Sarita aur Manisha Hafte mein ek baar Abhishek se milne ke liye jaroor jate. Abhishek ko bhi ye achha lagta.


Bit-te samay ke sath Sarita ke dilo dimag mein to jaise Nishchal ne kabja kar liya tha. Wo jab bhi nishchal ko dekhti to Sharma jati thi. Nishchal ko lekar uska vyavhar badal gaya tha. Usko bhi ye ehsas ho gaya tha ki uske dil mein Nishchal ko lekar kuchh na kuchh jaroor hai..


Kai baar jab wo akele hoti tho yahi sochti thi ki kahi use Nishchal se pyaar to nahi ho gaya hai, lekin Wo apne is vichar ko ye kahkar darkinar kar deti thi ki usne apna jo goal banaya hai pahle wo use hasil karegi uske baad wo pyaar vyaar ke bare mein sochegi.


Par Sarita ke baar baar koshish karne ke baad bhi use nakamyabi hi hath lagti thi. wo jitna apna dhyan Nishchal se hatane ke liye koshish karti Nishchal use utna jyada yaad aata. Sarita ko din-raat, sote-jagte bas Nishchal ka hi chehra dikhayi deta tha. Jab bhi koi aahat ya khatka hota use lagta ki Nishchal aaya hai.


Manisha jab bhi Sarita ke samne Nishchal ka naam leti to uski dhadkan anayas hi badhne lagti. Sarita ko bhi har bit-te pal ke sath ye ehsas hone laga tha ki wo dhire dhire Nishchal ke kareeb ja rahi hai. ya yuun kahein ki Nishchal ki yade use apni or kheech rahi thi. Sarita ka apne upar koi jor nahi rah gaya tha.


Parntu Sarita ko is baat ka bhi Ehsas tha ki Nishchal Charu se pyaar karta hai to wo uske sath koi jabardasti nahi karna chahti thi. Sarita ne soch liya tha ki Agar Nishchal Charu ke sath hi khush hai to wo Apne dil mein umad rahe jajbat ko kabhi bahar nahi aane degi aur dono ke pyaar ke bich mein nahi aayegi.


Udhar Manisha Har pal ki khabar Nishchal ko deti thi. Nishchal use Mana bhi karta tha ki wo ye sab na kare, lekin Manisha uski baat nahi manti aur use intezar karne ke liye bolti hai. Manisha bahut bariki se Sarita ko observe kar rahi thi. Usne Sarita mein har din ho rahe badlav ko bahut kareeb se dekha tha.


Manisha ne dekha tha ki jis ladki ko der raat tak padhne ki dhun sawar rahti thi. Wahi ladki ab der raat tak apni khidki par khadi Nishchal ke uske ghar aane ki pratiksha karti rahti thi. Nishchal ke aane ke baad hi Sarita khidki se hat-ti thi. Nishchal ke aane ke baad hi wo soti thi.


Jis ladki ne abhi tak apne khwabo mein sirf apne goal ko hi ahamiyat di thi. aaj wo apne khwabo mein Nishchal ka khwab dekhti hai. Jis ladki ko ye pyaar mohabbat befajool ki baat lagti thi aaj wahi use duniya ka sabse khoobsurat ehsas lagta hai.


Sarita Ab Nishchal ka samna karne se katrati thi. Uske samne jane se darti thi ki kahi unki aakhon ne ya uske labon ne kuchh aisa bol diya jisase Nishchal ke prati uske man mein kya jajbaat hain wo jahir na ho jaye. Wo Nishchal ko chhup chuup kar apni khidki se dekhti thi.


Sarita ko lagta tha ki iske bare mein kisi ko pata nahi hai to wo apni feeling ko jahir karke uska majaak nahi banana chahti thi. Manisha jo Sarita ko bahut bariki se observe kar rahi thi use ab apni bahan ki ye halat dekhi nahi ja rahi thi to usne aakhirkar Sarita se direct baat karne ka nirnay liya.


Ek din Sarita ko PS se aane mein der ho gayi. Aane ke baad Usne khana khaya aur khidki ke paas jakar khadi ho gayi. Us din Nishchal der raat tak ghar nahi aaya tha. Sarita bechaini se apni khidki ke paas idhar se udhar tahal rahi thi.


Sarita ko lagta tha ki use koi dekh nahi raha hai, lekin Manisha use kaafi der se dekh rahi thi. jab usase raha nahi gaya to wo Sarita ke paas gayi aur uske kandhe par hath rakh diya. Manisha ko dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Are Manisha tum abhi tak jag rahi ho.

Manisha- Main kaise so jaun jab meri didiya itni bechain dikh rahi hai.

Sarita- Nahi to aisa to kuchh bhi nahi hai main to aise hi tahal rahi thi.

Manisha- Ek baat kahun didiya. Aap jo kuchh bhi sochti ho. jo kuchh bhi mahsoos karti ho jaakar sabkuchh boss ko bol do.

Sarita- Kya bol doon??


Manisha ne bina kisi deri ke turant khulkar sari baat karne ka faisla karte huwe kaha.


Manisha- Wahi jo Aap boss ke liye feel karti hain. main tumhe aur ghut-ghut kar jeete huwe nahi dekh sakti didiya. Tumhe kya lagta hai ki mujhe nahi dikhta ki Chaaru aur Boss ke pyaar ki bate sunkar tumhare lalaat par tanav aa jata hai aur Tumhari aankhon mein gussa. jo maine saaf dekha hai didiya.

Maine dekha hai ki ye soch soch kar tum raat bhar karwate badlati rahti ho ki Boss Charu se pyaar kate hain. tum hamesha bechain rahti ho. Der raat tak khidki par khade hokar Boss ka intezar karti rahti ho. Mujhe sab dikhta hai didiya.

Kahte hain ki agar apne jajbaat ko agar apne andar dabakar rakhoge to wo aapko chain se jeene nehi dega. Andar hi andar apko pareshan karta rahega. Isase to achha hai ki Jo bhi aapke man mein chal raha hai use bahar nikal kar chain ki sans li jaye.

Main aapko aur aise nahi dekh sakti. meri baat mano didiya. Bol do jakar boss se. ab aur der mat karo nahi to tum pagal ho jaogi. Haalat dekhi hai tumne apni. Kuchh hi din mein tum kya se kya ho gayi ho.


Sarita Manisha ko hairani se dekh rahi thi. use to bilkul bhi andaza nahi tha ki uski mastmaula, beparwah aur hamesha hansi majak karne wali bahan use itne dinon se itni bariki se observ kar rahi hai. Wah jis baat ko chhipati fir rahi thii wo baat Manisha use bata rahi hai.


Aaj use Manisha par bahut pyaar aa raha tha. Sarita ki munh se koi bol nahi phoot rahe the. Uski baat sunkar Sarita ki aankho se aanshu nikal aaye aur wo Manisha ke gale lagkar rone lagi.


Manisha ki aankhe bhi Sarika ke gale lagne ke baad chhalak aayi thi. Sarita ki aankho se itne din ki jo ghutan thi wo bahkar bahar aa rahi thi to Manisha ki aankho mein aanshu apni bahan ki halat dekhkar kar aa gaye the. Thodi der baad Manisha ne Sarita ko apne se alag karte huwe kaha.


Manisha- Ab bas karo didiya kitna rowogi. Thode aanshu apni vidayi ke liye bhi bacha kar rakho.


Sarita uski baat sunkar rote huwe hansne lagi aur boli.


Sarita- Wo to teri shadi mein bahaungi.


Manisha ne Sarita ke dono hath pakadate huwe kaha.


Manisha- Achha Bas karo ab aur jakar achhe se taiyar ho jao.

Sarita- Wo kisliye??

Manisha- Are Kisliye se kya matlab hai tumhara?? Tum apne dil ki baat boss ko is halat mein bataogi.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne uske hath par marte huwe kaha.


Sarita- Tum pagal ho gayi ho kya?? Abhi kaise??

Manisha- Haan to tum aise hi baith kar intezaar karte rahna aur wo Charu boss ko uda le jayegi.

Sarita- (hanste huwe) Charu… kya wo hanuman ji hai kya jo wo Sir ko uda le jayegi??

Manisha- Didiya Shubh kaam mein deri nahi karni chahiye. Waise bhi bahut jyada samay ho gaya hai Isliye tum abhi ke abhi jao.

Sarita- Bahut jyada samay matlab.

Manisha- Wo sab baat baad mein bhi ho sakti hai, lekin abhi jo kaam karna hai aapko uske upar focus karo.

Sarita- Are… par abhi to wo duty se aaye hi nahi hain to main wahan jakar kya karungi.

Manisha- Tum unke aane se pahle unka room khoob achhe se decorate kar dena taki tumhe boss ko impress karne mein jyada samay na lage.


Manisha ki baat sunkar Sarita hansne lagi aur hanste huwe boli.


Sarita- Tumhare paas itne khatarnak ideas aate kahan se hain.


Manisha ne Sarita ki hansi dekhi to apna munh bana liya aur boli.


Manisha- Ek to tumhein achhe achhe ideas de rahi hoon aur tum ho ki mera hi Mazak uda rahi ho.

Sarita- main tumhara Mazak nahi uda rahi hoon. Tum to janti ho ki main shuru se hi in sab cheezo se door hi rahi hoon. Achanak ye sab ho gaya to mujhe samajh mein nahi aa raha hai kuchh. Tum jo idea mujhe de rahi ho isase Sir impress ho ya na ho, lekin mera Mazak ban-na tay hai. Decoration. Ufffffff.


Sarita ki baat sunkar Manisha ne apna sir pit liya aur kaha.


Manisha- Tum bhi na. Tumse to kuchh nahi ho sakta hai.

Sarita- Ab tum mujhse bahas mat karne lag jana. Isiliye main tumse kuchh bhi batana nahi chah rahi thi. tum chahe kuchh karo ya na karo lekin aise waise ideas dekar mujhe jokar jaroor bana dogi tum. Tum khud hi socho ki aise hi bina usko bataye un ke ghar mein ghuskar ye sab karna. Mujhe to ye sochkar hi hansi aa rahi hai.

Manisha- Achha Thik hai thik hai. agar ye plan sahi nahi lag raha hai tumhe to mujhe kuchh aur sochne do.

Sarita- Are meri bahna. Bas karo tum. Tumne mere bare mein itna kuchh socha wahi bahut hai mere liye.


Sarita ki baat sunkar Manisha ne kuchh nahi kaha. Manisha ki dimag bahut tezi se kaam kar raha tha. uske dimag mein kuchh khurafat janam lene lagi aur usne apni mundi haan mein hila di.


Sarita- Chalo ab sote hain bahut der ho gayi hai.

Manisha- Hmmmmm. Chalo.


Dono aakar bister par so gayi. Agle din Sarita fir se apne samay se PS gayi. din bhar usne sara kaam kiya aur sham ko ghar wapas aa gayi. dono bahano ne khana banaya. Khana khane ke baad Manisha kamre mein chali gayi.


Sarita jakar khidki par khadi ho gayi. thodi der baad Nishchal ki gadi jab uske ghar aayi to wo apne kamre mein aa gayi aur Manisha ke bagal mein letkar kitab padhne lagi. Manisha ne Sarita se kaha.


Manisha- Boss aa gaye kya.

Sarita- Mujhe kya pata??

Manisha- to itni der se khidki par khadi hokar kiski pahredari kar rahi thi.

Sarita- Kisi ki bhi to nahi. Main to bas tahal rahi thi. tum soi nahi abhi tak

Manisha- Itni jaldi. Abhi to 10 hi baje hain. itni jaldi kaun sota hai bhala.

Sarita- Achha ab tum chupchap leto aur mujhe padhne do. Disturb bilkul bhi mat karna mujhe.

Manisha- (bister se utarte huwe) Main bathroom se aa rahi hoon didiya.

Sarita- thik hai jao.


Manisha kamre se bahar aati hai aur chaat par jakar Nishchal ko call karti hai. Manisha ki call dekhkar Nishchal ne phone uthaya aur kaha.


Nishchal- Haan bolo chhote miya. Kya haal chaal hai.

Manisha- mera to thik hai aap apna bataiye.

Nishchal- mera bhi badhiya hai.

Manisha- Aapne khana kha liya.

Nishchal- haan bas kuchh der pahle hi khaya hai.

Manisha- Abhi kya kar rahe hain aap boss.

Nishchal- Kuchh nahi. Khana khane ke baad tahal raha hoon.

Manisha- Waise boss. Mujhe lagta hai ki Didiya ko koi pareshani hai. wo bahut bechain dikhayi de rahi hain.

Nishchal- Kyaa huwa hai use??

Manisha- (udas aawaz mein) Ab ye to didiya ko hi pata hoga. Mere lakh puchhne par bhi wo mujhe bata nahi rahi hain aur aaj to unhone khana bhi nahi khaya hai.

Nishchal- Whaat?? Wo abhi jaag rahi hai ya so gayi hai.

Manisha- (udasi bhari aawaz mein) Abhi kaha soi hai . kab se usi baat ko lekar tension mein baithi hai.

Nishchal- Tum pareshan mat ho main aa raha hoon.

Manisha- Jaldi aaiyega.


Nishchal ne phone rakh diya. Phone rahne ke baad Manisha Khushi se uchhalte huwe boli.


Manisha- hoooooooo. Yeeeeeeee. Aaj to aap dono hi apne apne pyaar ka izhaar karenge. Aaj ke liye mujhe maaf kar dena didiya. Baad mein chahe to mujhe dant hi lena.


Abhi kuchh hi der hui thi ki Nishchal Waha par aa gaya. Manisha ne Pahle hi darwaza khula rakha tha to Nishchal andar aa gaya. Manisha darwaze ke paas hi munh latka kar khadi thi. Use dekhte hi Nishchal bola.


Nishchal- Kaha hain Lady done.

Manisha- Kamre mein hai chaliye mere sath.

Manisha Nishchal ko lekar kamre mein gayi. Sarita kitab padhne mein magan thi to uska dhyan Nishchal ki taraf nahi gaya. Manisha ne chalaki dikhate huwe Nishchal ke kamre mein jane ke baad Chupke se Darwaze ko dheere se bahar se sitkini laga di. Nishchal andar pahuchte hi Sarita se bola.


Nishchal- Tumne khana kyon nahi khaya abhi tak??


Nishchal ki aawaz sunkar Sarita chauk gayi, usne apna sir uthakar dekha to Nishchal samne khada tha. Sarita ko jab kuchh pata hota ya wo kuchh samajh pati ki Nishchal kis bare mein baat kar raha hai tab to wo kuchh jawab deti. Wo Nishchal ko dekhkar boli.


Sarita- Aap yaha. Is………


Abhi wo kuchh aur kah pati Nishchal ne fir se gusse bhari aawaz mein kaha.


Nishchal- maine puchha ki tumne khana kyon nahi khaya abhi tak.

Sarita- Aap jagte huwe bhi koi sapna dekh rahe hain kya?? Maine kab ka khana kha liya hai.

Nishchal- Lekin ye to bol rahi thi ki………..


Itna kahkar Nishchal piche palta to waha par Manisha nahi thi ye dekhkar Nishchal bola.


Nishchal- Are ye kaha gayi??

Sarita- Wo bahut badmash hai Sir. Usne jaroor aapke sath koi shararat ki hogi.

Nishchal- (Hanste huwe) maine jitna socha tha usase bhi jyada shaitan hai ye.


Sarita Nishchal ki baat sunkar Muskurane lagi aur darwaze ke paas jakar darwaza kholne lagi to darwaza bahar se band tha, ye dekhkar Sarita boli.


Sarita- Manisha darwaza khol.


Bahar se jab Manisha ne koi jawab nahi diya to Sarita ne thoda gusse se kaha.


Sarita- Dekho Manisha ye Mazak ka samay nahi hai. darwaza kholo nahi to aaj tum mujhse achhe se pitogi. Tumhari bhalayi isi mein hai ki tum darwaza khol do.


Manisha bahar baithi Sarita ki baat sunkar muskura rahi thi. Use ek shararat sujhi aur usne apne mobile mein gana baja diya.



Ham tum ek kamre mein band ho.
Aur chabhi kho jaye.

Tere naino ki bhool bhulaiya mein.
Bobby doob jaye.



Bahar khadi manisha is gane ki dhun par jor jor se ga bhi rahi thi. Jaha par gane ke bol mein Bobby doob jaye uski jagah Manisha ne Didiya doob jaye kaha to Sarita ko bahut gussa aaya. Wo turant Nishchal ki taraf mud gayi aur use dekhne lagi.


Iske Aage ki Kahaani agle Bhag mein..
manisha ne profe kar diya ki wo kya hai :laugh1: ek dalal :gaylaugh:
Bhai jail mein aur yahan ek bahan ishq pharmaane rahi hai aur dusri usko ishq pharmaane ke liye brainwashed kar rahi hai :laugh1:

Rapchik Rishi Aakesh. Vaishnavi
Kya ab bhi yahin kahoge ki nischal raghav manisha savita sahi hai :D
Ab kaha gaya bhai ke liye pyar.......badi dinge maarte the dono bahne ki un dono ke bhai se badhkar aur koi nahin :D ab kya hua dono ko........ :lol1:
Haan yaar...... Jab abhishek goli maar sakti hai to usko bhool jaana kounsi badi baat hai :roflol:

Khair......
Shaandaar update, shaandaar lekni aur shaandaar shabdon ka chayan...

Khair... let's see what happens next...
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,316
19,147
143
UPDATE- 83


Agli subah Sabhi jaldi sokar uthe. Mehndi ki Rasham thi Sabhi taiyariyo mein jute the. Buwa ji sabse pahle hi taiyar hokar aangan mein chauki lagakar baithi hui thi aur sabko order par order aur disha nidesh de rahi thi.


kabhi kisi Bhabhi ko pakadkar chaar baat suna deti to kabhi naina ji ko chaar baat sun-ni padti thi. isi bhagdaud mein samay bit raha tha. Sabhi taiyariya sham tak achhe se ho gayi.


Sham ko dholak ki thaap par menhandi aur sangit ke karyakram chal rahe the. Ek thaali mein 10-12 mehandi ke cone rakhe gaye the. Jo gulab ke phoolo se sajaya gaya tha. Sabse pahle buwa ji ne cone se Savita ke hatho mein kuchh banaya.


Savita ne ek dhani rang ka lahanga pahna huwa tha. Chehre par halka sa makeup kiya huwa tha. Buwa ji ke shubh karne ke baad parlar ki taraf se aayi ek ladki Savita ko mehandi laga rahi thi. Tabhi Manisha bhi waha aa gayi aur boli.


Manisha- Mujhe bhi lagwani hai mehandi.


Manisha ki baat sunkar Buwa ji ne munh bichkate huwe kaha.


Buwa ji- Tujhe badi jaldi hai mehandi lagwane ki. Pahle ghar ki bahuwe mehandi lagwa le. Fir bahar walo ka number aayega. Waise bhi abhi ladki khali nahi hai wo Savi bitiya ko mehandi laga rahi hai. to wo tumhe kaise mehandi lagayegi. Haan nahi to batao jara.


Buwa ji ki baat par Manisha ne kuchh bolna chaha, lekin Sarita ne uska hath pakadkar kuchh bolne se mana kar diya. Manisha ne kaha.


Manisha- Koi baat nahi buwa dadi ji. Main apni didiya se mehandi lagwaungi. Kya main is thali se ek mehandi ka cone le sakti hoon.


Ye baat Manisha ne Naina ji ki taraf dekhte huwe kaha to naina ji ne muskurate huwe apna sir haan mein hila diya. ye dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Itni bhi kya jaldi hai Manisha. Sab ko lag jane do mehandi. Fir baad mein laga lena.

Manisha- Nahi didiya. Mujhe mehandi lagakar didi ke sath photo click karna hai.

Savi- Kya huwa Sarita. Jab wo kah rahi hai to laga bhi do use.

Sarita- Thik hai di.


Itna kahkar Sarita ne ek mehandi ka cone thali se utha liya aur Manisha ko mehandi lagane lagi. Thodi der baad Manisha ke hatho mein mehandi lag gayi to Manisha ne kaha.


Manisha- Didiya mujhe bahut joro se bhookh lagi hai plz kuchh khane ko lao na.

Sarita- (gusse mein) Mujhe tumhari yahi sab harkate bilkul bhi pasand nahi aati Manisha. Jab tumhe pata hai ki tumse bhookh bardast nahi hoti to tum pahle hi khana kha sakti thin a.

Manisha- Mujhe kya pata tha ki itna samay lag jayega mehandi ke function mein. Plz didiya bahut joro ki bhokh lagi hai. subah hi khana khaya tha. Ab to raat bhi hone wali hai. kuchh khane ko lao na didiya.


Manisha abhi bol hi rahi thi ki Ek Bhabhi ki najar Manisha ke hath par padi. Manisha ke hatho mein lagi mehandi ko dekhkar Bhabhi ne kaha.


Bhabhi- Aree waah Sarita ji. Aapne to bahut achhi mehandi lagayi hai.

Manisha- Bhabhi ji. Meri didiya multi talented hain.

Bhabhi- Wo to hain hai. kya aap mujhe bhi mehandi laga sakti hain Sarita ji. Kyonki itni bhid hai mehandi lagwane ke liye mera number kal subah hi aayega.


Bhabhi ji ki baat sunkar Sab hansne lage. Sarita ne kaha.


Sarita- Kyon nahi Bhabhi ji. Isme puchhne wali kaun si baat hai.


Sarita ki baat sunkar Bhabhi ne apna hath aage badhaya to Sarita Bhabhi ke hatho mein apni kalakari dikhane lagi. Manisha Sarita ke paas se uthkar Savita ke paas chali gayi. Usne chachi ki ladki Deepali se kaha.


Manisha- Deepu. Meri aur didi ki ek sath ek photo click kar do.


Deepali ne photo click ki to wo photo Manisha ko achhi nahi lagi. Isliye Deepali ne lagatar 20-25 photo click kar li tab jakar Manisha ko santusti mili. Manisha ne Savita se kaha.


Manisha- Didi. Mujhe bahut joro ki bhookh lagi hai.

Savi- to jao kha lo. Halwai to khana bana hi raha hai.


Manisha ne Savita ki baat sunkar apne dono hatho ki taraf ishara karte huwe kaha.


Manisha- kaise khaungi?? Maine didiya ko bola to wo naraz ho gayi. ab to wo Bhabhi ke hatho mein mehandi laga rahi hain.

Savi- Ruko main Deepali ko kah de rahi hoon wo tumhe khila degi.

Manisha- Thik hai didi. Main kamre mein ja rahi hoon. Aap khana bhijwa dena Warna aapki param pujya buwa dadi ji ki najar mujhpar padi na to ho gaya bantadhar. Fir to mujhe upwas hi karna padega.


Savita uski baat sunkar khilkhilakar hansne lagi aur boli.


Savi- Thik hai jao main Deepali ko bhejti hoon khana lekar.


Savita ki baat sunkar Manisha ne Uske gaal chumte huwe kaha.


Manisha- Love you didi.

Savi- (muskurakar) Nautanki.


Savita ki baat sunkar Manisha hanste huwe kamre mein chali gayi. Savita ne Deepali se kaha to wo khana lene chali gayi.


Manisha kamre mein baithi huwi thi ki tabhi use Raghav ki aawaz sunayi padi.


Ragahv- main tumhare liye khana laya hoon. Kha lo.

Manisha- (hairani se) Tum?? Deepali kaha hai??

Raghav- Use chachi ji ne mehandi lagane ke liye bula liya hai.

Manisha- Tum sahi kah rahe ho na ki Deepali ko chachi ji ne bula liya tha mehandi lagane ke liye..

Raghav- main tumse jhooth kyon kahunga. Waise mehandi se yaad aaya. Tum apni mehandi to dikhao.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne Khushi se apna hath aage karte huwe kaha.


Manisha- ye dekho meri didiya ne lagaya hai.

Raghav- Are waah. Sarita ji to is kala mein bhi mahir hain. Tum kuchh sikho apni bahan se.

Manisha- (itrate huwe) Mujhe jaroorat nahi kuchh sikhne ki. Iske liye meri didiya hain na.

Raghav- Achha. Lekin tumhari didi tumhare sath hamesha ke liye to nahi rahnegi na.

Manisha- (apna hath niche karte huwe) Nahi wo hamesha mere sath hi rahengi.

Raghav- Achha thik hai, ab lo khana kha lo.

Manisha- tum kya andhe ho ya andhe hone ka natak kar rahe ho.

Raghav- (chauk kar) Ye tum kya kah rahi ho.

Manisha- Aur nahi to kya. Main jo bol rahi hoon wo sahi bol rahi hoon. Tumhe dikh nahi raha hai ki mere hath mein mehandi lagi hui hai. ab main kya pair se khana khaungi.

Raghav- Ho sakta hai tum pair se bhi khana khati ho. Kyonki apni bahan ki tarah tum bhi to multi talented ho.


Itna kahkar Ragahv hansne laga to Manisha ne uski taraf gusse se dekhte huwe kaha.


Manisha- You???????

Raghav- Are bas bas. Ab gussa mat ho jana. Main khila dunga tumhe.

Manisha- Jaldi khilao mujhe bahut joro se bhookh lagi hai.

Raghav- Tumhe to ek ghante pahle hi joro ki bhookh lagi thi. Abhi tak joro ki hi bhokh lagi hai.

Manisha- Kyon pareshan kar rahe ho. khilao na.


Raghav Manisha ke paas baith gaya aur bed par plate rakh kar Manisha ko apne hatho se khana khilane laga. Khana khilate huwe Raghav ne kaha.


Raghav- waise to tumhari mehandi bahut hi achhi hai. par ye bich mein heart ke shap ke bich mein jo R likha huwa hai. uska matlab kya hai.


Raghav ke ye poochne par Manisha hadbada gayi. aur haklate huwe boli.


Manisha- Wo…woo… woo. To maine bas aise hi likhwa liya di se.

Raghav- Ohhh. Achha. Aise hi likhawa liya. Mujhe to laga tha ki kisi ke naam ka pahla word hai.

Manisha- Nahi to aisa kuchh bhi nahi hai.

Raghav- Mujhe to aisa hi lag raha hai. batao na kya hai is R ka matlab.

Manisha- Maine kaha na ki aisa kuchh bhi nahi hai. wo to bas maine aise hi likhwa liya.

Raghav- Nahi tum jhooth bol rahi ho. Kisi ka naam to hai is R se.

Manisha- Tum galat samajh rahe ho. kisi ka bhi naam nahi hai.

Raghav- Tum jhooth bol rahi ho.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne Raghav ki ungli jo uske munh ke paas thi use apne munh mein bhar liya aur dant se kaat liya. Raghav ne Aauuuchhhhh ki aawaz ki aur kaha.


Raghav- Aaaaaauuuuuchhh. Ye kya kar rahi ho?? ek to main tumhe apne hatho se khana khila raha hoon. Upar se tumne meri ungli ko hi khana samajh liya hai.

Manisha- Jab main mana kar rahi hoon to tum baar baar kyon pooch rahe ho. ye usi baat ki saza hai.

Raghav- Ye achhi jabardasti hai tumhari.


Abhi dono baat hi kar rahe the ki Nishchal waha par aa dhamka. Usne dono ko aise dekh liya to bola.


Nishchal- Ye sab kya ho raha hai bhaai.


Abhi Raghav Kuchh bolta usase pahle hi Manisha bol padi.


Manisha- Dekhiye na boss. Ye mujhe thik se khana nahi khila raha hai. kuchh bol rahi hoon to ulta jabardasti kar raha hai.


Manisha ki baat sunkar jab Nishchal ne Raghav ki taraf dekha to Usne kaha.


Raghav- Meri taraf aisi nagaho se mat dekho. Ye khud hi itna bak bak kiye ja rahi hai ki mujhe kuchh bolne ka samay hi nahi de rahi hai. ulta tum aa gaye to meri hi shikayat laga rahi hai.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ne Manisha ki taraf dekha. Fir Raghav ki taraf dekhte huwe kaha.


Nishchal- Ye baat to tumne bilkul sahi kahi Ki ye apne aage kisi ki sunti hi nahi hai. Ab dekho na Buwa dadi ji ki khatiya isne alag hi khadi ki hui hai. Buwa dadi ji ise dekhte hi aise bhagti hain jaise koi bhoot dekh liya ho.


Nishchal ki baat sunkar Ragahv hansne laga to Manisha ne gusse se apna munh bana liya to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Sorry chhote miya. Tum naraz mat hona. Bas tumhare sath thodi si maskhari kar raha tha. Savi di ko khana khilana padega kyonki Unke hatho mein mehandi lagi hui hai.

Raghav- Hmmm. Maine to di se poochha tha to unhone bola hai ki abhi thodi der mein khayengi. To maine socha tab tak is bhukkhad ko hi khila doon. Jo kab se bahut joro ki bhookh lagi hai ki rat lagaye ja rahi thi.

Manisha- (gusse mein) Kya kaha. Main bhukkhad hoon. Jao main nahi khati khana.

Raghav- Are yaar tum baat baat par naraz kyon ho jati ho. ab kya main tumhare sath Mazak bhi nahi kar sakta kya.

Manisha- Nahi tum mere sath Mazak nahi kar sakte. Main tumhari Bhabhi nahi hoon. Samjhe.

Raghav- (Aankh marker dhire se) To fir kya ho tum meri.

Manisha- (Najre nichi karke) Mujhe nahi pata. Ab tum shant raho nahi to boss se tumhari shikayat kar dungi.

Raghav- kar do na. main tumhare boss se darta thode hi hoon. Shayad tumhe yaad nahi hai to main tumhe bata doon ki tumhara boss mera bhaai hai.

Nishchal- (bich mein) Tum dono bas karo ab. Hamesha ladne par hi lage rahte ho. (apne man mein) Pata nahi meri lady don ne bhi kuchh khaya hai ya nahi. Par wo mere hath se khayegi bhi nahi.


Idhar Nishchal yahi sab soch raha tha aur Nishchal ki baat sunkar Raghav aur Manisha shant ho gaye the. Is shanti ko bhang karte huwe Raghav ne Manisha se poochha.


Raghav- aur khana hai.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne apna sir na mein hila diya. Manisha ki baat sunkar Raghav muskurate huwe waha se chala gaya. Raghav ke jane ke baad Manisha ne Nishchal se kaha.


Manisha- Boss dekho meri mehandi kaisi lagi hai.

Nishchal- Bahut Achhi hai.

Manisha- kisne lagaya hai batao jara.

Nishchal- Mehandi wali ne lagaya hoga aur kisne lagaya hoga.

Manisha- Galat. Meri didiya ne lagaya hai.

Nishchal- (hairan hote huwe) Kyaa?? Sach mein.

Manisha- Aur nahi to kya main aapse jhooth bolungi.

Nishchal- Mujhe nahi pata tha ki lady don ko ye sab bhi bahut achhi tarike se aata hai.


Nishchal ki baat sunkar Manisha apni badai jhadte huwe boli.


Manisha- Aap bhool rahe hain boss ki wo meri didiya hai to use to ye sab aana hi tha.

Nishchal- (hanste huwe) Haan wo to hai. main to bhool hi gaya tha ki wo tumhari didi hai. kisi bhi mamle mein tum usase pichhe nahi ho. Achha ab tum aaram karo. Main bahar ka sab intejam dekhkar aata hoon.

Manisha- Waise aap yaha aaye kyon the.

Nishchal- Aaye kyon the ka kya matlab. Ab main apne hi ghar mein kahin aa ja nahi sakta kya??

Manisha- Are boss. Mera wo matlab nahi tha. Main to bas ye puchh rahi thi ki koi kaam tha kya aapko??

Nishchal- Nahi to. Wo di ne bheja tha ki dekh loon ki tumne abhi tak khana khaya hai ya nahi.

Manisha- Thik hai boss. Ab aap jaiye aur jate jate didiya ko bhi dekh lena.

Nishchal- Wo bhala kisliye??

Manisha- Aapne subah se didiya ko dekha nahi hai na. isliye.

Nishchal- (muskurate huwe) Tum bahut badmas ho chhote miya. Abhi tum aaram karo main jakar aata hoon.


Nishchal waha se nikal kar bahar aaya to aangan mein Sarita bhabhiyo se ghiri hui thi. sabhi bhabhiya usi se mehandi lagwa rahi thi. Sarita bhabhiyon ko mehandi laga rahi thi. uske balo ki ek lat baar baar aage ki or aa rahi thi. jisase Sarita ko dikkat ho rahi thi aur wah apne hath se baar baar apni lat ko apne kano ke pichhe kar rahi thi.


Sarita ka yah roop Nishchal ko itna achha lag raha tha ki wo apne dono hath bandhkar pilar ke Sahare tak lagakar ektak Sarita ko dekhne laga. Sarita ko bhi iska andaza ho gaya tha ki koi use dekh raha hai.


Sarita ne jab najar uthakar dekha to nishchal ko waha khade huwe paya. Nishchal ko apni taraf ektak dekhta pakar anayas hi Sarita ke hontho par muskan aa gayi. Sarita ko muskurata dekhkar Nishchal bhi muskurane laga. Tabhi Naina ji ne villan ka kaam karte huwe nishchal se poochha.


Naina ji- Nishu. Tum waha khade khade kya dekh rahe ho.

Nishchal- wo maa main ye poochhne ke liye aaya tha ki aap log khana abhi khayenge to main khana yahin lagwa deta hoon.


Nishchal ki baat sunkar Padosh ki ek dadi ne kaha.


Dadi- Nishu betwa. Tum kyon chinta kar rahe ho?? sabke aadmi apni apni biviyon ko khana khila denge.


Dadi ke aisa bolte hi sabhi log munh dabakar hansne lage to naina ji ne kaha.


Naina ji- tum pareshan mat ho Nishu. Sab lone mein hi kha lenge. Tum jakar aaram karo.


Tabhi buwa ji ne bhi apna munh kholte huwe kaha.


Buwa ji- Jinko abhi mehandi nahi lagi hai wo jakar khana kha lein. Uske baad wo mehandi lagwa lengi
.

Niana ji- Mehandi sabko lag chuki hai. bas main aur Sarita hi bache hain buwa ji.

Sarita- Aaiye Aunty ji main aapko bhi mehandi laga deti hoon.

Naina ji- Are nahi beta. Tum kab se sabko mehandi laga rahi ho. Ek to tumhari aadat nahi hai aisa kaam karne ki. Jiske karan tumhara hath bhi dard kar raha hoga. Tum rahne do. Main mehandi wali se lagwa lungi. Tab tak tum jakar khana kha lo.


Sarita ne paas mein baithi ek Bhabhi se kaha.


Sarita- Chaliye Bhabhi main aapko khana khila deti hoon.

Bhabhi- Are nahi Sarita ji. Abhi sab log jab khane lagenge to main kha lungi. Aise akele mein achha nahi lagta na.


Buwa ji ko mauka chahiye tha char baat sunane ke liye. Jo unhe mil gaya. Buwa ji ne kaha.


Buwa ji- hamare ghar mein ye sanskar nahi hain ki bahu pahle hi khana kha le aur saas bhukhi baithi rahe. Tumhare ghar mein ye sanskar honge. Hamara yaha nahi..

Sarita- mere kahne ka ye matlab bilkul bhi nahi tha.


Sarita ko ye baat kharab jaroor lagi thi, lekin usne koi reaction nahi kiya. Naina ji ne baat ko sambhalte huwe kaha.


Naina ji- Beta ab tum jao aur jakar khana kha lo. Uske baad aakar mehandi lagwa lena.

Sarita- Thik hai Aunty ji jaisa aap kahein.


Itna kahkar Sarita khana khane chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Baat ka batangad bana bua ji ko bahut aata hai. Choti choti baato ko khuckar lamba le jana aur ek pale se khichkar jaise gend ko kkiladi le bhagta hai. Bilkul bua ji bhi vaisi hi hai. Baate kaisi bhi ho bua ji apne upar le leti hai. Aur apne hisav se thod madod kar paros dete hi.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,241
145
UPDATE- 12


Jaunpur Ek historical city hai. Jo Allahabad se 90 Km. door aur banaras se 60 Km pahle gomti nadi ke kinare basa hai. Jiski neev mohammad bin tuglak (Juna Khan) ki yaad me Uske chachere bhai Firoj Shah Tuglak ne rakhi thi. Sarita ki first posting isi shahar me hui thi.


Lagbhag 2.5-3 ghante ke safar ke baad (is root par express train bhi passenger train ki tarah chalti hain) dono bahane Jaunpur pahuch gayi aur ek hotel cum lodge me karma le liya aur apna saman rakh kar fresh hone ke baad aaram karne lagi. agle din office jane ke bad hi kiraye par kamra lene ke liye staff ke kisi member ko bol sakti thi Sarita ya fir office ki taraf se rahne ki koi vyawastha ho sakti thi. Thodi der aaram karne ke baad dono bahne uth gayi. Manisha ne sarita se kaha.


Manisha- Chalo na didiya. Kahin bahar ghoomkar aate hain.

Sarita- bahar kahan jayenge ghumne. Abhi ham is shahar me naye hain. Kuchh jante hi nahi hain iske bare me to kahan ghumne chale.

Manisha- Are jab bahar nikalenge to hi is shahar ke bare me janenge. Aur chalo isi bahane kuchh kharidari bhi kar lete hain.

Sarita- bas padhai likhai me dhyan dene ke bajay tum in sabpar jyada dhyan deti ho. Yahi karne ke liye aayi ho kya mere sath.

Manisha- Kya didiya. Tum bahut niras Prani ho. Tumhare andar koi utsah hi nahi hai. Main to ye tumhare liye bol rahi thi. Lekin tum to naraz ho jati ho.

Sarita- Chal ab jyada natak mat kar. Mujhe pata hai ki ye sab tum mere liye nahi apne liye kar rahi ho. Chal jaldi se taiyar ho ja. Fir chalte hain.

Manisha- Aap kitni achhi ho didiya. Mujhe kitni achhi tarah se samajhti ho.


Itna kahkar Manisha ne Sarita ko gale laga liya aur washroom me chali gayi. Thodi der baad dono taiyar hokar niche aa gayi. Dono kamre se bahar Aai aur reception par baithe ladke se poocha.


Manisha- yahaan aas paas koi kapde ki dukan hai kya bhaiyaa.


Itni sundar ladki ke munh se bhaiya sunkar ladke ko bilkul bhi achha nahi laga. Usne ghoorkar Manisha ki taraf dekha aur dhire se kaha.


Ladka- Yahan se ek KM. aage ek market hai. Jahan aapko kapde mil jaenge.


Dono lodge se bahar aai to Sarita ne riksha karna chaha. Manisha ne mana karte huwe kaha.


Manisha- Kya didiya. 1 KM ke liye bhi riksha. Aisa raha to mujrimo ko kaise pakdogi. Rikshe se. hahaahahaha..

Sarita- Ab jyada dant mat dikha. Main to tere liye riksha kar rahi thi. Nahi to mujhe paidal chalna achha lagta hai.


Dono bahane paidal hi market ki taraf chali ja rahi thi. Halke fluke makeup me bhi dono bahane bahut khoobsurat lag rahi thi. Aaspas se gujarne wale un dono par ek najar dalne par majboor ho jate the. Thodi der me dono market me pahuch gai. Market me bahur bheed thi. Road side par kuchh dukane lagi thi kapde ki to dono bahane usme se kapde dekhne lagi. kuchh kapde kharidne ke baad Manisha ne kaha.


Manisha- didiya Chalo na us undar garments ke dukan me. Waha se kuchh le lete hain.

Sarita- tujhko lena hai to tu ja. Main yahi bahar intezaar karti hoon.


Sarita ki baat sunkar Manisha dukan ke andar chali gayi. Sarita bahar khade hokar waha ka najara karne lagi. tabhi use aise laga ki uski kamar ko kisi ne chhuwa hai. Sarita ne turant pichhe mudkar dekha to 26-27 sal ka ek lamba chauda , Achhi personality, dekhne me ekdam hero jaisa raubdar ladka aankho me bada sa goggles lagaye phone par kisi se baat kar raha tha.


Sarita ne aav dekha na tav, bina kuchh pooche kheechkar ek thappad use rasid kar diya. Thappad itna jordar tha ki uska mobile hath se chhutkar aur goggles aankho se nikalkar jameen par gir pada. Logo ki najar unki taraf uth gayi. Sarita gusse se fufkarte huwe boli.


Sarita- teri himmat kaise hui mujhe hanth lagane ki sale. Main tum jaise ladko ko achhi tarah se janti hoon, jaha kahi bhi koi ladki dekhi nahi ki lar tapkana shuru kar dete hain. Lekin tumne is baar galat ladki se panga liya hai. Tum jaiso ko sudharna main achhi tarah se janti hoon.


Thappad khakar ladke ka dimag chakra gaya. Usne gusse se Sarita ko dekhte huwe kaha.


Ladka- teri himmat kaise hui mujhpar hanth uthane ki. Agar tum ladki na hoti to main tere us hanth ko todkar doosre hanth me de deta.

Sarita- tune jo harkat ki hai uske liye tujhe thappado se nahi. Sandal nikal kar pitna chahiye. Ye to shukar manao ki main ache mood me hoon. Isliye ek hi thappad mara. Agar mera dimag ghoom gaya to apni sandal utarkar teri pitai karungi. Dekhne me to shareef ghar ke lagte ho, lekin tumhari harkate chhichhoro ki tarah hain. Tere ghar me maan bahan nahi hain kyaa.


Sarita ki baat sunkar us ladke ko bahut gussa aa raha tha. Uska chehra gusse se laal ho gaya tha market me lagbhag adhiktar log us ladke ko jante the. Wo soch rahe the ki is ladki ne bewajah hi us ladke se panga le liya. Ladke ne apni muthhi bheej kar apne gusse ko control karte huwe kaha.


Ladka- tu apni had paar kar rahi hai ladki. Main kuchh nahi bol raha hoon. Isliye tu kuchh bhi bake ja rahi hai. Tujhe pata bhi hai main kaun hoon. Main ek police officer hoon.


Abhi ladke ne itna hi kaha tha ki uske doosre gaal par bhi ek jordar tamacha pad gaya. Jise Sarita ne hi mara tha. Sarita gusse se funfkarte huwe boli.


Sarita- teri himmat kaise hui police ko badnam karne ki. Ek to aisi chhichhori harkat karta hai aur upar se police ka naam lekar unhe badnam karta hai. Agar dobara police ka naam liya to main tera khoon pi jaungi kamine.


Un dono ki tu tu main main itni badh gayi thi ki aas paas ke log bhi unke paas jama ho gaye the. Bahar ho rahe shor ki aawaz sunkar Manisha bhi dukan se bahar aa gayi. aur wo Sarita ko kheechkar waha se le jane lagi, lekin Sarita bahut gusse me thi. Wo waha se jane ka nam hi nahi le rahi thi, badi muskil se Manisha use waha se lekar chali gayi. Raste me Manisha ne Sarita se kaha.


Manisha- Kya jaroorat thi us bechare ko thappad marne ki. Tumhe faltu ke pange lene me jyada maza aata hai kya. Bechare ka thobda suja diya hai tumne.


Sarita Manisha ki baat sunkar use gusse se ghoorti hui boli.


Sarita- tu to chup hi kar. Wo tujhe Bechara dikh raha tha, Agar tu bich me na aati to main uska munh tod deti. Main ache se janti hoon in jaise ladko ko. Wo janta nahi hai mujhe. Sarita joshi naam hai. Usne galat ladki se panga liya hai.

Manisha- mujhe kyon bata rahi ho aap ye. Tum na didiya. Kuchh jyada hi over react kar rahi ho. Dekha nahi tumne. Market me kitni bhid thi. To galti se hanth lag gaya hoga uska. Kam se kam ek baar pooch to lena chahiye tha, lekin nahi. Jama diya usko thappad. hamesha gussa nak par liye ghoomti rahti ho. Bechare ka gal lal ho gaya tha. tumhare hantho ke Nishan chap gaye honge uske gal par. Tumne mara hi itni jor se tha us ladke ko.

Sarita- Achha tu jyada chamchi na ban uski. Tujhe bada dukh ho raha hai usko lekar. Ye sab teri wajah se huwa hai. Na main tere kahne par market aati aur na hi ye sab hota. Mil gayi santusti tujhe.

Manisha- maine kya kiya didiya. Mara to tumne use hai. Achha ab gussa thook do aur shanti ke sath kamre me chalo. Aaj ka din hi kharab gaya.


Dono bahane bate karte huwe fir se lodge me aa gayi aur apne kamre me chali gayi. Udhar market me wo ladka apni badi bahan Savita, jiski umar is wakt 30 varsh ki ho gayi thi, ke sath aaya tha. Jo doosri dukan par kuchh saman khareed rahi thi aur Usne donon ki bahas hote dekh liya tha. Jab tak wo aati. Manisha Sarita ko lekar nikal gayi thi. Usne aate hi ladke se poocha.


Savi- Kya huwa. Wo ladki tujhpar itna kyon chilla rahi thi. Kya kiya tha tune. Jo wo tujhpar itna kyon bhadak rahi thi. Aur tere dono gall kyon lal hain.


Ladka- Kuchh nahi di. Koi sanki ladki thi. Jo bina matlab mujhse ulajh rahi thi.

Savita- lekin tere gaal kyon lal ho gaye hain. Aakhir huwe kya tha yahaa par.


Apni didi ki baat sunkar ladka thoda sharminda ho gaya aur Apni gardan jhukakar haklate huwe dhire se bola.


Ladka- wo kya hai na dii. Wo ladki thoda pagall thii. Usne mere donooo gall lall kar diye. Ek number ki sanki thi wo ladki.


Ladke ki baat sunkar Savita ko bahut Aacharya huwa. Aaj tak kisi ladki ki himmat nahi hui thi ki wo uske bhaai se unchi aawaz me baat kare. Yaha to us ladki ne uske bhai ko thaappad mar diya. Savita ne Aashcharya jatate huwe kaha.


Savi- Kyaa. Kyaa kahaa tumne. Us ladki ne tumhe thappad maraa. Mandal Adhikari (Circle Officer City) ko thappad mara. City Circle Officer Nischal Singh Rathod ke upar Hath uthaya. Poore City me kisi ki himmat nahi hai ki Tujhse najar milakar baat kare. Aur us ladki ni tujhe thappad maar diya. ye baatt kisi se bhi bhool kar bhi mat kah dena. Nahi to tumhari badi fajihat ho jani hai.



(Ji haan ye mahashay Nishchal Singh Rathod. Rathod khandan ke eklaute warish. Arabo ki milkiyat hai iske papa Shri Mahendar Singh Rathod ke paas. Kai karkhane aur Factoriya hain Mahendra Singh Rathod Ke paas. Kanpur mein Inke naam ki tuti bolti hain. Mahendra Singh Ke laakh kahne ke baad bhi Nishchal ne Patrik Karobar mein koi ruchi nahi dikhayi. Uske Sir par bachpan se Desh Seva ka dhun sawar tha, Kyonki Nishchal ke dada Ji Swatantrata Senani rah chuke the. To ye apne dada ke naksekadam par chal nikle. Police mahakmein mein Inki Imandari aur bahaduri ke charche the. Apne collegue se dosto jaisa vyavhar karte the. Inke do khaas bande the Mohit Sharma Aur Jawed Akhtar. Jinke bare mein aapko aane wale kuchh bhago mein pata chalega. To ab aate hain kahani par)


Nishchal- Kyaa dii Ab Aap bhii meraa majaak uda rahi hain. Jaiye main baat nahi karta aapse.

Savi- main majaak nahi sach kah rahi hoon. Ek ladki ne tujhe thappad maraa. Mera matlab hai ki maine pahli baat itni tez tarrar ladki dekhi hai jisne Circle Officer ko hi thappad jadd diya.


Itna kahkar Savita hansne lagi. Nischal singh ko badi sharmindagi mahsoos ho rahi thi. Wo apni didi se kahta hai.


Nischal- Ab chalo bhi di. Aapki shoping to ho hi gayi hai ab. Wo koi sirfiri ladki hogi di.

Savi- (dhire se) Aur teri pitai bhi.

Nischal- Kuchh kahaa aapne di.

Savi- Nahi Nishu maine to kuchh nahi kaha.


Itna kahkar Savita muskurate huwe aage badh gayi. Nishchal ko ye dekhkar bahut gussa aa raha tha. Wo man hi man soch raha tha ki agar kabhi mauka mila to wo iska badla jaroor lega. Wo us ladki ko sabak jaroor sikhayega



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Bohot hi bhadiya update hai mahi ji
Manisha- yahaan aas paas koi kapde ki dukan hai

Itni sundar ladki ke munh se bhaiya sunkar ladke ko bilkul bhi achha nahi laga

Bechare ladke ka to popat hi ho gaya :lol:

Sirata bilkul badal gayi Naina jii kha phale Mahender ke sath chipki rathi thi aur kha ab usko touch karne par hi nishchal ko do thappad laga diya :sad3:

Nishchal bhi bekar hai wahi patak kar s*#kar lena tha sarif Bane chala tha aur popat ho gaya :lol1:

Savita bhi nischal ke maze le rahi hai


Shaandaar kahani, shaandaar shabdon ka chayan
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,316
19,147
143
UPDATE- 84


Naina ji ke kahne par Sarita khana khane chali gayi. khana khane ke baad jab Sarita wapas aayi to mehandi wali ne use pakad liya aur use apna hath aage karne ke liye kaha. Sarita wahi pilar ke sahare tak lagakar baith gayi aur apna hath aage kar diya. Mehandi wali ne use mehandi lagana shuru kar diya.


Ab tak sabhi log khana khane ke liye chale gaye the. Raghav ne Savita ko bhi khana khila diya tha. Aangan mein is samay bas Sarita aur mehandi wali hi baithi thi. Mehandi wali Sarita se baat karte huwe use mehandi laga rahi thi. thakan ke karan Sarita ko jhapki aane lagi aur uski aankh band ho gayi.


Tabhi kisi kaam se Nishchal udhar se gujra to uski najar Sarita par thahar gayi. Usne dekha ki Sarita Nishchint hokar so rahi hai. uske hatho mein mehandi lag chuki hai aur mehandi wali waha se jane wali hai to Nishchal ne uske kaan mein kuchh kaha to wo fir se Sarita ke paas baith gayi aur uska hath pakadkar dobara mehandi lagane lagi.


Thodi der mein Nishchal waha se chala gaya. Mehandi wali bhi waha se chali gayi. Naina ji ne Sarita ko jagaya aur kamre mein jane ke liye kaha. Sairta kisi tarah apne kamre mein pahuchi aur nidhal hokar apne bister par so gayi.


Agle din jab Sarita ki aankh khuli aur usne apne hatho mein dekha to wah chaunk gayi. Manisha bhi usi samay sokar uthi thi. Sarita ko aise chukte huwe dekhkar Manisha ne Sarita se poochha.


Manisha- Kya huwa didiya. Aap aise chaunk kyon gayi. Koi baat hai kya didiya. Aap apne hath ko aise kyon ghoor rahi hain??


Manisha ki baat sunkar Sarita ne apna hath uske aage kar diya. Uski hatheli dekhkar Manisha ne bhi apni hatheli uski hatheli ke paas rakh di. dono ke mehandi ka rang gahra Chadha huwa tha. Manisha ne kaha.


Manisha- Kya huwa didiya. Jaise tumhari mehandi chadhi hai waisi hi meri mehandi chadi hai.

Sarita- (hanth dekhte huwe) Lekin meri mehandi kabhi bhi itni gahari nahi chadhti hai. fir is baar ye itni gahri kaise chadh gayi hai??

Manisha- Isbaar isliye aisa huwa hai didiya kyonki tum mehandi jaldi lagati nahi ho aur agar lagati bhi ho to 10 minute se jyada tumhare hatho mein mehandi rahti nahi hai.

Aaj pahli baar tumhare hatho mein mehandi raat bhar rahi hai isliye iska rang chatak ho gaya hai. ab isme itna chaukne ki kya baat hai didiya. Ye to achha hi hai na ki ham dono ki mehandi ka rang chatak ho gaya hai.

Sarita- Haan wo pahli baar aisa huwa isliye main chaunk gayi.

Manisha- Aapna hath idhar kijiye mujhe mehandi ki design dekhni hai.

Sarita- (apna hath Manisha ke hath mein dete huwe) ye lo.

Manisha- Thikk hi hai par meri design se achhi aapki design nahi hai.

Sarita- To tumhe mehandi lagayi kisne hai ye bhi to dekho.

Manisha- Meri didiya ne.

Sarita- Achha chalo ab jaldi se utho. Aaj sangeet bhi hai. bahut sari taiyariyan bhi to karni hain sangeet ki.


Sarita ki baat sunkar Manisha ne apne hath ko apne hi sir par marte huwe kaha.


Manisha- Are haan.. mujhe to yaad hi nahi raha. Mujhe to ek kaam aur bhi karna hai.

Sarita- (use ghoorkar) Dekho Manisha is baar pichhli baar ki tarah kuchh bhi ulta siddha mat karna. Nahi to bahut marungi tumhe main.

Manisha- (acting karte huwe) Tumhe apni bahan par jara bhi bharosha nahi hai. Kya tumhe lagta hai ki tumhari bahan koi ulta siddha kaam kar sakti hai. Batao didiya. Kya tumhe aisa lagta hai.

Sarita- Mujhe lagta nahi hai. balki main 100% Sure hoon ki tumhare dimag mein kuchh na kuchh khurafaat chal rahi hai.

Manisha- (acting jari rakhte huwe) Nahiiii. Ye sun-ne se pahle main bahri kyon nahi ho gayi bhagwan. Ye kaisa ghor kalyug aa gaya hai. Ek bahan ko apni bahan par bharosha nahi raha. Kya hoga tumhare is sansar ka bhagwan.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne uske sir par chapat lagate huwe kaha.


Sarita- Bas kar. Ab band kar apni nautanki. Nahi to ek lagaungi aur tu satyug mein pahuch jayegi.


Sarita ki baat sunkar Manisha uthkar waha se chali gayi. Jate jate wo apne man mein sochne lagi.


Manisha- Ab Aapka kya hoga buwa dadi ji. Aaj main aapki bolti na band kar di to mera naam Manisha urf chhote miya nahi. Bas dekhti jaiye aap.


Manisha ke jane ke baad Sarita bhi fresh hone ke liye chali gayi. thodi hi der mein dono fresh hokar bahar aa gayi. Sangeet ka karyakram dono pariwaro ka ek hi sath hone ka decide huwa tha, Anant ke papa ke kahne par ye karyakaram ghar mein na karke ghar ke paas ke hi bane huwe ek guest house mein iski vyavastha ki gayi thi.


Karyakram sanchalan ki sari jimmedari Manisha ne apne kandhe par le li thi. Sangeet ke karyakram mein kab kya kaisa karna hai ye Manisha ko dekhna tha. Sarita isko lekar bahut chintit thi. use lagta tha ki Manisha ye jimmedari thik dhang se nahi nibha payegi to usne Manisha se kaha.


Sarita- Manisha. Tumhe lagta hai ki tum Sangeet ki sari jimmedari achhe se nibha paogi.

Manisha- Haan. Main kar lungi sab.

Sarita- meri mano to anchoring ki jimmedari kisi aur ko de do. Isase tumhara workload kam ho jayega.

Manisha- Don't worry didiya. Main sab achhe se handle kar lungi. Aap bas mere dance ke baad ka sambhal lena.

Sarita- Thik hai main dekh lungi.


Sangeet ki function hone ke karan subah se hi bhagdaud machi hui thi. koi apni dersh ke liye bhagdaud kar raha tha to koi makeup ke liye bhagdaud kar raha tha. To kuchh log aise the jo dance ki rehearsal kar rahe the to koi kisi aur kaam se daud dhoop kar raha tha.


Manisha pahle hi haal ke liye nikal gayi thi kyonki Dance ki organizer wahi thi to ladke walo ke sath bhi coordination fit karna tha. Raghav bhi Manisha ke sath gaya huwa tha. Hall mein pahuchne ke baad Raghav ne Manisha ka hath pakda aur use ek kone mein le gaya. Manisha ne gussa dikhate huwe kaha.


Manisha- Kya kar rahe ho. mujhe yaha par kyon laye ho. mere paas abhi samay nahi hai kuchh bhi dekhne ka. Chhodo mujhe.


Manisha ki baat sunkar Raghav ne uske munh par ungli rakhkar use shant karwate huwe kahta hai.


Raghav- ssssshhhhhhhhhhhhh. Kitna jyada bak bak karti ho tum. Pahle meri baat to suno.


Itna kahkar Raghav ne Manisha ke aankho ke kono se thoda sa kajal lekar uske kano ke pichhe laga diya. Manisha ne usase aankho ke ishare se poochha ki ye sab kya hai to Raghav ne kaha.


Raghav- Tum itni khoobsurat lag rahi ho aaj ki tumhe meri najar na lag jaye. Isliye kajal lagaya hai tumhe.

Manisha- Apno ki najar kabhi nahi lagti. Thanky you. Aaj tumne mujhe ekdam mummy ki tarah kajal ka kala tika lagaya hai. Jab bhi main aur didiya kahi taiyar hokar jate hain to wo aisa hi karti hain. Tum na ekdam meri mummy ki tarah meri care karte ho.

Raghav- To Kya tum ab mujhe apni mummy banaogi kya.

Manisha- Chal hat pagal.

Raghav- Achhai ji. Main to hamesha tumhari care karunga. Har janam mein tumari care karunga. Har kadam par tumhara sath nibhaunga.

Manisha- Achha- Wo bhala kyon.

Raghav- Bas aise hi. Mujhe tumhare sath rahna, tumhari care karna bahut achha lagta hai.


Itna bolkar Raghav ne Manisha ke mathe ko chuma aur waha se chala gaya. Manisha ke gal sharm se tamatar ki tarah lal ho gaye. Manisha kuchh der tak wahi khadi hui Abhi jo kuchh bhi huwa tha wah sochkar muskura rahi thi.


Udhar ghar par Sarita taiyar hokar idhar udhar ghoom rahi thi. wo ghar ke chhote se choote kaam ko kar rahi thi. Ghar ke lagbhag Sabhi Sadasya hall mein chale gaye the. Naina ji udhar se gujar rahi thi to unhone Sarita ko kaam karte huwe dekha. ye dekhkar Naina ji Sarita ke paas gayi aur kaha.


Naina ji- Sarita beta. Tum abhi tak hall mein nahi gayi.

Sarita- Ji Aunty ji. Bas nikal hi rahi hoon thodi der baad. Kuchh kaam tha kya.

Naina ji- Kuchh kaam to nahi tha. Par tum jaogi kaise sabhi log to chale gaye hain yaha se.

Sarita- Main aapke sath hi chali chalungi.

Naina ji- Beta abhi mujhe hall mein chalne mein samay lagega. Abhi main pooja karungi uske baad hi waha par jaungi. Ruko main dekhti hoon. Kisi ko bhejti hoon tumhare sath .

Sarita- Thik hai Aunty ji.


Naina ji ye bolkar Sarita ko haal tak pahuchane ke liye kisi ko dhoondhne lagi. Tabhi Nishchal waha se gujra. Jo abhi tak hall mein nahi gaya tha. Use dekhkar Naina ji ne kaha.


Naina ji- Nishu beta. Jara sun-na.

Nishchal- Haan mummy ji.

Naina ji- Beta. Sabhi hall mein chale gaye hain, lekin Sarita bitiya abhi tak yahin par hai. tum aisa karo isako hall tak chhod do. Uske baad mujhe lekar chalna.


Nishchal ye sunkar bahut khush huwa ki use Sarita ke sath kuchh pal akele spend karne ka mauka mil raha hai to wo bhala aise mauke ko kyon hath se jane deta. Isliye usne kaha.


Nishchal- Chaliye Sarita ji.


Sarita ne bhi jyada na nukur na karte huwe nishchal ke sath ghar se bahar aa gayi. Nishchal jakar driving sheet par baith gaya. Sarita bhi car mein baith gayi. Nishchal ne car aage badha di. Aaj Nishchal Sarita ke chehre ko nahi baar baar Uske hatho ko dekh raha tha. Sarita ne bhi kai baar Nishchal ko aisa karte huwe dekha to usne poocha.


Sarita- Kyaa huwa. Aap baar baar mere hath ko aise kyon dekh rahe hain. Kuchh laga hai kya mere hath mein.

Nishchal- Kuchh nahi. Main to bas tumhari mehandi ka colour dekh raha tha.

Sarita- Achha. Ye baat hai.. mujhe pahli baar itni gahri mehandi chadhi hai.


Itna kahkar Sarita ne apni hatheli nishchal ke samne kar di. Nishchal uski hatheli dekhkar muskurane laga. Ye dekhkar Sarita ne usase poochha.


Sarita- Kya huwa aap muskura kyon rahe hain??

Nishchal- Kuchh nahi. Kuchhh purani baate yaad aa gayi thi.
(fir man mein) Kitna achha lag raha hai mera naam tumhari hatheli par. Mujhe nahi pata tha ki mera naam likh dene par tumhari mehandi itni gahari chadhegi.

Mere naam ki mehandi aakhirkar tumhari hatheli par lag hi gayi. tumhe to ehsas hi nahi hai ki mera naam tumhare hatho par likha hai lekin tum use dhoondh nahi paogi. Ye to sirf main hi dekh pa raha hoon. Us ladki ne mera nam itni safai aur bariki se likha hai ki kisi ko pata hi nahi chalega ki mera naam likha hai tumhari hatheli par.


Wahi car mein FM Redio par ek gana baj raha tha jo us setuation ko bahut shut kar raha tha.


Dil ye mera tumse kuchh kah raha hai suno na.

Dil ne tumko chun liya hai tum bhi isko chuno na.

Khwab koi dekhte hoon main tum bhi sapne buno na.

Tum bhi mujhko chuno naa.


Gane ke bich bich mein Nishchal mudkar Sarita ki taraf dekh leta tha, lekin Sarita in sabse se bekhabar khidki se bahar dekh rahi thi. aise hi thodi der mein hall aa gaya.


Sarita jab utarne lagi to usne dhyan nahi diya. sheetbelt mein uske blouse ki dori fansi hui thi. jab Sarita car se utarne lagi to khichav ke karan uske blouse ki dori khul gayi. Sarita ko jab ye ehsah huwa to wo turant wapas apni sheet par baith gayi.


Doosri taraf se Nishchal car se utar gaya tha. Use Sarita ki setuation ke bare mein bilkul bhi andaza nahi tha. Wah bahar aakar doosri taraf ka dor kholkar Sarita ko utarne ke liye kahne laga, lekin Sarita apni sheet par jami rahi to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Hall aa gaya hai ab niche utar jao.

Sarita- (dhire se) woo…..wooo….

Nishchal- Are kyaa huwa tumhe. Itna dar kyon rahi ho.

Sarita- Wo… wo… ek problems ho gayi hai.

Nishchal- Are. Jisko dekhkar sari problem bhag jati hai usko kya problem ho gayi.

Sarirta- Mazak mat kariye Sir. I am serious.


Ye sunkar Nishchal turant uske paas aaya aur bola.


Nishchal- kya huwa??


Ab Sarita Nishchal se kaise kahe ki uske blouse ki dori khul gayi hai. wo Nishchal se bolne mein sakuchane lagi to Nishchal ne uska hath pakadkar usase kaha.


Nishchal- Kya baat hai batao mujhe.

Sarita- Manisha ko ya Bhabhi ko kisi ko bhi bula dijiye. Urgent hai.

Nishchal- Ab tumhe utarne ke liye Manisha aur Bhabhi ko bulane ki kya jaroorat hai. main utarta hoon na tumhe.

Sarita- Plzz.

Nishchal- Achha Achha thik hai main bulata hoon kisi ko tum yahi raho.


Nishchal ne abhi itna hi kaha tha ki Tabhi Sarita ka mobile bajne laga. Sarita ne dekha to call Manisha ka tha. Sarita ne call uthaya to Manisha ne kaha.


Manisha- Kaha ho didiya. Aur kitni der lagaogi aane mein. Main kab se aapka intezar kar rahi hoon.

Sarita- Manisha. Main yahi hoon hall ki parking mein/ Tum jaldi se bahar aa jao gadi ke paas. Meri blouse ki dori khul gayi hai.

Manisha- Thik hai didiya main aa rahi hoon.


Udhar Nishchal manisha ka phone try kar raha tha, lekin uska phone vyast aa raha tha to wo phone try karte karte haal ki taraf chala jata hai. jab wo Manisha ke paas pahucha to Manisha ko ek shararat sujhi aur usne kaam ka bahana banakar Nishchal ke sath chalne se mana kar diya aur Bhabhi ko bhi usne nahi jane diya. Manisha ki baat sunkar Nishchal wapas Sarita ke paas aa gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Ye to suni sunayi bate hai. Ya phir sach mejhe nehi pata kyuki aisa abhi tak hote huye maine na dekha hai na hi kabhi gaur kiya hai ki kisi ke naam ki mehndi haath par lata hai to mehndi ka rang aur jayada hi khilkar aur gahra ho jata hai.

Shayad ye sach ho. Agar sach hai to ham ladko ko kaha pata hoga iss mamle me ladkiya behtar janti hogi tabhi to mendi par gade chini ka gol lagati hai. Taki mehndi ka rang aur jayad khilkar aaye.

Khai jo bhi ho sachai ki khij bhi tak jari hai aur lagta hai ek do saal me pata laga bhi lunga.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,316
19,147
143
UPDATE- 85


Manisha ne Nishchal ke sath bahar aane se inkar kiya to Nishchal Wapas gadi ke paas aaya Sarita se kaha.


Nishchal- Sab kisi na kisi kaam mein lage huwe hain. Kisi ke paas bahar aane ka samay nahi hai isliye koi nahi aayega.

Sarita- Maine Manisha ko bhi phone par bataya tha phir bhi wo pata nahi kyon nahi aayi.

Nishchal- Manisha ko dekhkar aisa lag raha hai jaise uski hi beti ki shadi ho rahi hai. itni bhagdaud kar rahi hai. itna pareshan hokar sabko kaam de rahi hai ki poochho mat.


Nishchal ki baat par jab Sarita ne koi bhi reaction nahi diya to Nishchal ko laga ki jaroor koi serious baat hai isliye nishchal ne kaha.


Nishchal- Kya problem hai tumhe Sarita. Batao mujhe. Shayad main tumhari koi madad kar paaun.

Sarita- Nahi. Aap meri koi madad nahi kar payenge. Aap kisi ko bula dijiye.

Nishchal- Are yaar. Jab tak tum bataogi nahi ki tumhe problem kya hai to mujhe kaise pata chalega ki main tumhari madad kar paunga ya nahi.

Sarita- Kisi aur ko bula dijiye na Sir.

Nishchal- Aakhir baat kya hai mujhe batao.

Sarita- (pareshan hokar). Wo… woo mera riban khul gaya hai.

Nishchal- Haahahahahaaaaaa. Bas itni si baat. Tum to aise pareshan ho rahi ho jaise koi bahut badi baat ho gayi hai. Riban to main bhi bandh sakta hoon aur tum kah rahi ho ki main nahi kar paunga. Tum bhi na Miss Joshi.


Nishchal ko laga tha ki Sarita balo mein bandhne wale riban ki baat kar rahi hai, Use nahi pata tha kii Sarita apni blouse ke riban ki baat kar rahi hai. Nishchal ke aisa kahne se Sarita ne uski taraf dekhte huwe dhire se kaha.


Sarita- Aaappppp..


Sarita ke kuchh kahne se pahle hi Nishchal ne doosri side ka darwaza khola aur andar aa gaya. Andar aane ke baad Nishchal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Lao riban mujhe do main bandh deta hoon.


Abhi Nishchal ne itna hi kaha tha ki uska phone bajne laga. Phone naina ji ka tha. Nishchal ne Sarita se kaha.


Nishchal- ek minute main phone le leta hoon. (call receive karke) haan mummy. Main pahuch gaya hoon. Bas 5 minute ruko main aa raha hoon, tab tak aap taiyar ho jao.


Itna kahkar Nishchal ne phone cut kar diya. Sarita turant apni pith sheet par satakar sidhi baith gayi. Nishchal ne Sarita ki taraf dekha aur uske balo ko dekhte huwe kaha.


Nishchal- Tumhara juda to bandha huwa hai. fir riban kaha lagana hai.

Sarita- (man mein) Kinte bhole hain Sir. Inhe pata hi nahi hain ki main kis riban ki baat kar rahi hoon.


Ye baat sarita ne apne man mein kahi. Sarita ko kuchh na bolte huwe dekhkar Nishchal ne kaha.


Nishchal- Ab bolo bhi.

Sarita- (man mein) Mujhe hall mein pahuchaye bina to ye jayenge nahi. Udhar aunty ji bhi inka wait kar rahi hain. Manisha ki bachhi bhi bahar nahi aa rahi hain. Kya karun main. Sir se hi bandhwa loon. Nahi ye thik nahi hai. kahin sir ko bura lag gaya to. Lekin aur koi option bhi to nahi hai. sir se hi help leni padegi.


Sarita soch rahi thi tabhi use Nishcahl ki aawaz fir se sunayi padi.


Nishchal- Ab bologi bhi ya aise hi baithi rahogi.


Nishcahl ki aawaz sunkar Sarita doosri or ghoom gayi. ab Sarita ki pith Nishchal ke samne aa gayi. Sarita ne Deep gale ka blouse pahna huwa tha. Jiske karan uski gori bedag pith nishchal ki aankho ke samne aa gayi. Ek pal ke liye nishchal thahar sa gaya. Sarita ne ghoomne ke baad Nishcahl se kaha.


Sarita- Ye dori bandhni hai.


Sarita ki aawaz sunkar Nishchal hosh mein aaya aur usne turant apni najarein nichhi kar li aur car se utarte huwe bola.


Nishchal- Tum ek minute ruko main Chhote miya ko bhejta hoon.

Sarita- Koi baat nahi sir. Aap hi bandh dijiye.

Nishchal- Main… main kaiseee bandh sakta hoon.

Sarita- Kyon Abhi to bol rahe the ki aap meri riban bandh denge.

Nishchal- mein to wo.. balo ke riban ke bare mein bola tha.

Sarita- Mera ye riban khula hai. ab bandh dijiye.

Nishchal- Lekin main kaise.

Sarita- Apne hath se bandhiye aur kaise bandhenge.

Nishchal- nahi ruko… main Manisha ko bula deta hoon.

Sarita- Aap waha jayenge to wo fir se natak karegi. Maine use sab bataya tha, lekin fir bhi wo nahi aayi, isase to achha hai ki aap hi bandh dijiye. Kyonki ghar par aunty ji aapka intezar kar rahi hain.

Nishchal- (sakuchate huwe) Thhikkkkk… thikk hai.


Nishchal fir se gadi mein baith gaya aur uski pith tak apna hath le gaya aur fir se turant wapas kheech liya aur bola.


Nishchal- Main nahi kar paunga.

Sarita- jaldi kariye Sir. Aap aise kyon sharma rahe hain. Sharmana to mujhe chahiye.

Nishchal- Hmmmmmmm.


Nishchal ke munh se aawaz nahi nikli. Usne thodi himmat karke dono dori ko apne hatho mein pakad liya aur bandhne laga. Dori bandhne ke bich mein jab jab Nishchal ke hatho ki ungliya Sarita ke pith ko chhu jati thi to dono ki aakhe apne aap band ho jati thi. Nishchal ke Sparsh se hi Sarita ke jishm ke roye roye khade ho gaye the.


Yahi haal Nishcahl ka bhi tha. Dono ka haal is samay ek jaisa hi tha. Dono ke man mein gudgudi ho rahi thi. Sarita ne appe man mein kaha.


Sarita- Main jab bhi sir ke kareeb rahti hoon mujhe pata nahi kya ho jata hai. pata nahi kyon mujhe itna ajeeb sa mahsoos hota hai. us din bhi jab main inke gale lagi thi to kuchh aisa hi mahsoos huwa tha.


Sarita ki soch par Nishchal ki aawaz ne viram laga diya.


Nishchal- Ho gaya.


Nishchal ki aawaz sunkar Sarita jaise hi car se utarne ko hui. Nishchal ne uska hath pakadte huwe kaha.


Nishchal- ek minute ruko. Ye tumhara lahanga niche fansa huwa hai. Abhi fir tumhari dori khul jayegi.


Itna kahkar Nishchal ek jhatke se niche jhuka aur uske lahange ko sahi karne laga. Lahnga sahi karne ke baad uthate samay Nishchal ke hotho se Sarita ki gori bedag pith touch ho gayi. Nishchal ekdam hadbada gaya aur jhatke se alag ho gaya.


Idhar apni pith par Nishchal ke honth padte hi Sarita ki to jaise sanse hi tham gayi thi. Sarita ekdam jadwat ho gayi thi. dil ki dhadkane itni tez chal rahi thi ki unhe kabu mein karna mushkil ho gaya tha. Nishchal ne haklate huwe kaha.


Nishchal- Mu….mujjj…mujhee maafff kaa kaarr dooo. Joo jo bhhiii huw….huwaa haiii.. jalll….jaldbaziiii mein hu…huwaa haiii. Plzzzzzz mu..mujhhee galaaatt ma…..matt samajhhnaa.


Sarita to jaise kuchh sun hi nahi rahi thi. ya yuun kahe ki use kuchh sunai hi nahi de raha tha. Sarita ne Nishchal ko bina kuchh kahe hi car ka darwaza khola aur hall mein jane lagi.


Nishchal ko laga ki shayad Sarita uski Anjani galti ke karan usase gussa ho gayi hai isliye usne uski bato ka koi jawab nahi diya. wah turant car se bahar nikla aur pichhe se Sarita ko aawaz dete huwe kaha.


Nishchal- I Am soryyy Miss Joshi. Galti se ho gaya wo.


Lekin Sarita ne Nishchal ko koi jawab nahi diya. Usne badi mushkil se apne aapko sambhala aur waha se chali gayi. Sarita ne ek bhi baar Nishchal ki taraf mudkar dekhna jaroori nahi samjha. Nishchal ko apnea aap par gussa aa raha tha ki usase aisei Anjani galti ho kaise gayi. usne apne hath ko car ki bonat par marte huwe kaha.


Nishchal- Shittt yaar. Ye sab kya ho gaya. Maie sach mein jaanbujhkar aisa nahi kiya. Ye sab galti se ho gaya. Use lag raha hoga ki maine ye sab janboojhkar kiya hai.


Udhar Sarita chalti hui hall mein pahuch gayi. Manisha use dekhte hi uske pass aayi aur boli.


Manisha- Kya huwa didiya. Tum itni khamosh kyon ho.

Sarita- Kuchh nahi huwa.

Manisha- Batao na didiya. Sharmao nahi.


Manisha ne uske kandhe par apna hath rakhe huwe kaha. Manisha ki baat sunkar Sarita ne apni aankhe band kar li. Sarita ko wahi sab yaad aane laga jo kuchh der pahle parking mein hua tha. Manisha ne Sarita ko dekhkar fir se poochha to Sarita bina koi jawab diye waha se chali gayi. Manisha ne apne man mein kaha.


Manisha- didiya ko kya huwa??? Baad mein iska pata karti hoon pahle sab taiyari to dekh loon.


Nishchal bhi Naina ji ko lekar hall mein aa gaya tha. Ab tak dono pariwar saj dhaj kar hall mein aa chuke the. Poore hall ko phulo se sajaya gaya tha. Gulab, genda, gulmohar aur bela chameli ke phulo se poora hall mahak raha tha. Samne ek Dance floor bana huwa tha. Uske thik samne thodi door par ek bada sa sofa rakha huwa tha.


Ab ye batane ki jaroorat nahi hai ki wo sofa weding jode ke baithne ke liye tha. Jise phoolon se sajaya gaya tha. Uske Samne dher sari kursiya rakhi gayi thi. dono paksho ne ek doosre ka abhiwadan diya aur apni apni jagah par virazman ho gaye.


Sabse pahle baat karte hain hamari weding jode ki to Savita ne nevi blue colour ka lahanga pahna tha aur Anant ne nevi blue colour ka 3 peace shoot pahna tha.


Sarita ne Pink colour ka lahanga to Nishchal ne kreem colour ka 2 peace shoot pahna tha. Manisha ne ek black colour ka goun pahna tha aur Raghav ne black and white ke combination ka shoot pahna tha jo ki Manisha ne apne lahange ki colour coding kahkar use jabardasti pahnaya tha.


Anant ki bahan Charu jo Sagai mein Nishchal par lattu ho gayi thi aur uske aage pichhe ghoom rahi thi. wo bhi waha maujood thi aur sabse mil rahi thi. uski najar baar baar Nishchal ke upar jakar thahar jati thi. .


Nishchal to bas Sarita par hi mohit tha. Wo bas Sarita ko hi ektak dekhe ja raha tha. Use Waha par upasthit kisi aur ladki se koi matlab hi nahi tha. Lekin Sarita apne mein busy thi. wo Nishchal ko ignor kar rahi thi.


Kuchh der baad Manisha ne sanchalan ki jimmedari sambhalte huwe kaha.


Manisha- Hello. Gud evening everyone. Shuru karte hain aaj ke sangeet ka karyakram. Is karyakram ko itna yaadgaar bana dena hai ki hamare dil mein iski chap hamesha ke liye rah jaye.

To sabse pahle hamari taraf se aa rahi hain ladki ki buwa dadi aur ladko ki taraf se aa rahe hain Ladke ke munhbole fufa ji. So big hand to Buwa dadi aur muhbole fufa ji.

Buwa ji- Are Chhokariya. Hamkaa kahe bula rahi hai. Hamko to kisi dusre ke sath danas karne ke liye kahaa tha tumne. Haan nahi to batao jara.

Manisha- Aapke partener badal diya gaya hai buwa dadi ji. Ab aapko fufa ji ke sath hi dance kahna hoga.

buwa ji iske lie taiyaar nahin ho rahi thi lekin sabke samjhaane aur jor dene ke baad wo taiyar ho gayi.
buwa ji apni chatakdar cotton ki sadi sambhalte huwe dance floor par aai aur idhar udhar dekhne lagi. Shayad wo kisi ko dhoondh rahi thi.


unke pichhe pichhe fufa ji bhi apni chamakdar safed dhoti sambhalte huwe dance floor par aaye. Buwa ji man mein badbadate huwe kaha.



Buwa ji- Ye Muwa kya kar raha hai?? hame jiske sath gana karna tha wah dikh hi nahi raha hai. haan nahi to batao jara.


Udhar fufa ji buwa ji ke bagal mein khade hokar soch rahe the.


Fufa ji- Us ladki ne to kaha tha ki bas hame jakar kamar hilana hai aur aage pichhe ghumna hai, lekin ye to hame aise ghoor rahi hai jaise hame kachha hi kha jayegi.


Abhi dono ye soch hi rahe the ki tabhi gana bajna shuru ho gaya. Buwa ji ne furti dikhate huwe apni position le li aur dance karne ke liye ready ho gayi. fufa ji bhi unke pichhe aakar khade ho gaye. Gana bajne laga.



Ho ho ho ho.

Ude jab jab julfe teri ude jab jab julfe teri kanwariyo ka dil machle

Kanwariyo ka dil machle jindmeriye.



Fifa ji bhi buwa ji ke pichhe khade hokar dance karne lage aur gane lage.


Jab aise chikne chehre, jab aise chikne chehre.

To kaise na najar fisale. To kaise na janar fisle jindmeriye.



Fufa ji ka to fir bhi thik tha par buwa ji ne fufa ji ko ghoor ghoor kar jo dance kiya ki unka dance dekhkar sab lot pot ho gaye aur hansne lage. Kabhi buwa ji fufa ji ko munh bichka kar dekhti to bechare fufa ji doosre side aa jate to kabhi wah doosri or munh karke thumko lagale. Sabhi ko is dance mein bahut maza aaya.


Jab gana khatam huwa to buwa Akar Naina ji ke paas baith gayi. naina ji ne buwa ji se kaha.


Naina ji- Buwa ji. Aapne bahut hi achha dance kiya.

Buwa ji- Are Chup kar Savi ki amma. Pata nahi us naaspite ko kisne bhej diya mere sath dance karne ke liye. Muwe ne sara gana kharab kar diya. haan nahi to batao jara.

Naina ji- Nahi buwa ji. Aap dono ne sach mein bahut achha dance kiya.

Buwa ji- Agar wo muwa na hota to main aur bhi achha dance karti.

Naina ji- Thik hai buwa ji. Main Manisha ko bolkar Aapke liye Akele ka gana bajwati hoon. Is baar aap akele hi jaiyega.

Buwa ji- Are Nishuwa ki amma. Meri kamar tudwayegi kya. Dekh nahi rahi hai ki meri halat ek baar mein hi kharab ho gayi hai. haan nahi to batao jara.


Buwa ji aur Fufa ji ki performance ke baad Manisha fir se stage par aayi aur boli.


Manisha- Wahh Wahhh Wahhha. Buwa ji aur fufa ji ne to is mahaul mein aag laga di hai. In dono ki aag lagane wali shandar performance ke baad Ab bari aati hai ladki ke mummy aur papa ki. To big hand for Mummy and papa.


Manisha ki baat sunkar Sabhi jor jor se taliya bajane lage. Mahendra ji aur Naina ji Stage par aa gaye. Mahendra ji ne apne hath mein mike lete huwe kaha.


Mahendra ji- (Bhavuk hote huwe) Samajh mein nahi aa raha hai ki main kya bolu. Kal Savita ki shadi ho jayegi. Kal tak jo chhoti bachhi thi pata hi nahi chala ki kab wo itni badi ho gayi hai.


Apne papa ki baat sunkar Savita ki aankho mein anshu aa gaye. Mahendra ji aage bolte huwe kaha.


Mahendra ji- (rundhe huwe gale ke sath) Mujhe nahi lagta ki main isse jyada kuchh bol paunga. Is liye ham dono apni taraf se Savita ke liye ek gana pesh kar rahe hain.


Itna kahkar Naina ji aur Mahendra ji ne gana shuru kar diya.



Kal tak jo nanhi si lali thi.

Komal si juhi ki kali thi.

Kal tak jo nanhi si lali thi.

Komal si juhi ki kali thi.

Wo totali boli are kitni bhali thi.

Wo jiski sima bas ghar se gali thi.

Kya ye wahi ladki hai.

kya ye wahi ladki hai.

Kya ye wahi ladki hai.

kya ye wahi ladki hai.



Gana sunkar Savita ki aankhe bhar aayi thi. dono gate huwe Savita ke paas aaye aur uske aanshu pochh kar usko gale se lag aliya.


Sabhi ne jordar taliya bajayi. Gana khatam hone ke baad mahendra ji aur naina ji apni jagah par aakar baith gaye. Manisha ne fir se mike sambhalte huwe kaha.


Manisha- Are Are Mahaul to thoda serious sa ho gaya hai. par Aunty aur Uncle ne bahut hi shandar performance di hai. Ab Bari aati hai Ladke walo ki aur unki taraf se aa rahe hain didi ke hone wale pujya Sasur ji aur Sasu maa.


Anant ke mummy aur papa bhi Stage par pahuche aur unhone bhi apne bete aur bahu ke liye gana gaya.



Chuna hai ek duje ko tumne
Lakho mein karodo mein.

Joda amar ho tumhara
Pyar bhare har jode mein.

Mausam aaye Mausam jaye
Tumhara jeewan aur sajaye.

Samay ki dhara mein
Ham to bah jayenge.

Hamare bol tumhare
Sang mein rah jayenge.

Wah maryada wah Parampara
Jo hamne nibhayi hain.

Wah ye bhi nibhaye
Bas yahi kahna hai.

Yahi kahna hai
Yahi kahna hai.



Manisha jor jor se huting karne lagi. Sabne jordar taliya bajakar gana khatam hone par Abhinandan kiya. Gana khatam hone ke baad Anant ke mummy papa apni jagah par jakar baith gaye.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Bilaus ke riban na na dori ki gath ahaaa khul gayi. Sarita ko jaise sanp sungh gayi. Base thoda hildol rahi thi par nishchhal ko bolne se uski juvaan ladkhada rahi thi. Daar lag raha tha javan khoon hai kahi dori ki ganth bande ko kaha aur bahaik gaye to saadi se dono ki suhag... Gadhi me hi sampan ho jayega 🤪

Barhaal bilaus ki khuli ghat ne thoda ko dono pasa aa gaya. Jis tarh na nukar ke baad nishchal ne ganth banda isse to lagta hai. Sarita to gayi ab polisiya tevar chhodke lover wala nakhra karne ka time aa gaya.

Manisha ne moti bhais bua ko ke saath soya kiya. Bua ji ki partner hi badal diya aur anant ke fufa ke saath nachwa diya. Kitne armano se taiyari kiya tha sabh dhara ka dhara raha gaya.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Last edited:
Will Change With Time
Super-Moderator
25,316
19,147
143
UPDATE- 86


Anant ke mummy papa ke jane ke baad Manisha ne Anchoring ki kaman wapas sambhalte huwe kaha.


Manisha- Wahhh. Dulhe aur Dulhan ke mata pita ne apne gano ke jariya apne bachho ko dher sara aashirwad diya hai. Ab bari aati hai dono taraf ke rishto mein lagne wali bhabhiyo ki. To big hand to bhabhiya.


Iske baad dono taraf ki rishto mein lagne wali bhabhiya stage par aa gayi. gana bajna shuru huwa.


Ladki walo ae ladke walo.

hhhhhhuuuuuuuu
Ladki tumhari kanwari rah jati.

Ladki tumhari kanwari rah jati.

Ye mano hamara Ehsan ki ladke ne

Ki ladke ne haan kar di.

Ladki walo ae ladke walo.

Huuuuuuuuuuuuu
Ladka tumhara kanwara rah jata

Ladka tumhara kanwara rah jata.

Ye mano hamara Ehsan ki ladki ne

Ki ladki ne haan kar di.

Ladki walo ae ladke walo.


Is gane mein dance ke har step ke sath hooting aur taliya bajne lagi. Gana khatam hone ke baad jordar taliya hall mein goonjh uthi. Manisha ne fir se mike sambhala aur boli.


Manisha- Waahhhhh wahhhhhh wahhhhh wahhhhh. Bhabhiyo ki jordar performance ne mahfil mein shama bandh diya hai. bhabhiyo ki performance ke baad ab bari hai ladki ke bhaiyo ki. So big hand to Raghav, Armesh and Nishchal.


Tine stage par aa gaye. DG par gana bajne laga aur tino dance karne lage.


Taro ka chamakta gahna ho.

Taro ka chamakta gahna ho
.

Phulo ki mahakti wadi ho.

Us ghar mein khushhali aaye.

Jis ghar mein tumhari shadi ho.

Khushiyo ke mahlo mein baitho.

Koi gam na tumhare paas aaye.

Na umar ka pahra ho tum pe.

Mere dil ki duwa ye rang laye.

Rab hansta huwa rakhe tumko.

Tum to hansne ki aadi ho.

Us ghar mein khushhali aaye.

Jis ghar mein tumhari shadi ho.


Raghav aage badhkar Savita ke paas aaya aur use apne sath stage par le gaya. Savita bich mein khadi ho gayi aur tino bhai uske charo taraf ghoom ghoom kar dance kar rahe the. Savita kabhi hansti to kabhi uski aankhe nam ho jati. Gane ke bich mein hi Manisha ne mike sambhalte huwe kaha.


Manisha- Wahhh. Tino bhaiyon ne apni bahan ke liye bahut hi achhi performance di hai. tino ne mahfil mein aag laga di hai. Bahut badhiya Boss. Mazaa aa raha hai.


Thodi der baad gana khatam huwa to tino ka dance bhi khatam ho gaya. Savita ne tino ko apne gale laga liya. Manisha ne Anchoring karte huwe kaha.


Manisha- Hey hey guys. Khushnuma mahaul ko gamgin mat banao. Dulhan ke bhaiyo ne bahut hi behtareen performance di hai Ab bari aati hai Ladke walo ki taraf se. Aur ladke ki taraf se aa rahi hain dulhe ki bahan Miss charu. So big hand for Miss charu.


Charu stage par aa gayi aur usne Mere brother ki Dulhan par bahut hi achha dance kiya.


Mere brother ki dulhan, brother ki dulhan, brother ki dulhan..

Matrimonial si aankhein, sabko ab taake jhaakein

Matrimonial si aankhein, dhundhe re chehre baanken..

Matrimonial si aankhein

Sundar ho aur sushila, rang chaandi sa chamkila

Degree bhi ho fashion bhi jaane soniye

Ho seeta jaise naari aur jaane duniya daari

Piya ko sab kuch hi woh maane

Dil se dilli ho woh dhadkan se ho london

Dhundu main dhundu, mere brother ki dulhan..

Matrimonial si aankhein, sabko ab taake jhaakein

Matrimonial si aankhein, dhundhe re chehre baanke...

Mere brother ki dulhan, brother ki dulhan, brother ki dulhan...


Charu ka dance khatam hone ke baad hall mein taliya bajne lagi. Manisha ne mike sambhalte huwe kaha.


Manisha- Wahh waahh. Dulhe ki bahan ne bahut sari mahfil hi loot li. Bahut hi behtareen dance ki prastuti ki hai inhone. Ab bari aati hai jeeju ki fevorite saliyo ki aur ladko ki taraf se aa rahe hain jeeju ke bhai .

To ladki walo ki taraf se aa rahi hain unki Saliya Miss Sarita aur Miss Deepali and Ladko ki taraf se aa rahe hain Mr. Tanmay aur Mr. Yash.


Sarita aur Deepali stage par aa gayi unke sath sath tanmay aur yash bhi aa gaye. DJ par gana bajne laga.


Oye kudiye Oye kudiye

Tere tan se fisal na jaye.

Oye kudiye Oye kudiye

Tere tan se fisal na jaye.

Mera lal dupatta malmal ka

Mera lal dupatta malmal ka

Oye Mundya Oye Mundya

Sine se nikal na jaye

Oye Mundya Oye Mundya

Sine se nikal na jaye

Arman tere dil pagal ka.

Arman tere dil pagal ka.

Ashiq majnu aawara tha.

Sabki najaro ka mara tha

Kya chain se udta firta tha

Kitna khushhal kanwara tha

Oye goriye Oye goriye

Tune udate panchhi ko.

Oye goriye Oye goriye

Tune udate panchhi ko

Dil ke pinjare mein band kiya

Dil ke pinjare mein band kiya

Dil ke pinjare mein band kiya

Dil ke pinjare mein band kiya


Dono taraf se chearup aur hooting ki aawaz aa rahi thi. taliyo ki gadgadahat se hall gunj raha tha. Manisha ne bich mein apni chhavi ke anusar bolna shuru kiya.


Manisha- Are waahhhh kya jordar performance hai. na ladke wale kisi se kam najar aa rahe hain aur na ldki wale. Sangeet ceremony bahut hi achhi ja rahi hai. Bas aise hi jordar performance karte rahiye. SAbhi darshko ko bahut maza aa raha hai.


Udhar Nishchal bas ek tak aur bade dhyan se Sarita ko dekh raha tha. Sarita bahut hi behtareen dance kar rahi thi. Nishchal ne apne man mein kaha.


Nishchal- Kya ladki hai yaar. Har cheez mein parfect hai. itna achha dance kar rahi hai jaise koi professional dancer ho. man to kar raha hai ki ye aise hi dance karti rahe aur main aise hi ise dekhta jaun.


Thodi der mein dance khatam ho gaya to hall ek baar fir se taliyon ki gadgadahat se ghoonjne laga. Sarita aur Deepali apni jagah par wapas aa gayi to Naina ji ne dono ki balaiya le li. Manisha ne mike sambhalte huwe kaha.


Manisha- Hall mein upasthit deviyo aur sajjno. Dil tham kar baithiye Kyonki ab apne dance se aap sabka manoranjan karne aa rahi hain hamari didi yani ki hamare jiju ki dulhaniya. So please put your hands together fir tha bride..


Sabhi ne tali bajakar Savita ka swagat kiya. Savita Googles lagakar Dance floor par aa gaye thi. poore tashan ke sath wo dance karne ke liye taiyar thi. DJ mein gana bajne laga aur Savita ne apni performance shuru kar di.


Hain wo handsome sona sabse mere dil ko gaya lekar,

Meri neend churayi usne aur khwaab gaya dekar,

Ab yue naina bole yaar, bole yahi lagatar,

Koi chahe kitna roke main to karungi pyaar,

Mere saiya superstar, mere saiya superstar,

Mere saiya superstar, mere saiya superstar,

Main fain hui unki, mere saiya superstar,

Mere saiya superstar, mere saiya superstar,


Savita bahut achha dance kar rahi thi. dance khatam hone ke baad Anant ne bahut jor ki shiti bajayii. Manisha aur Armesh hooting karne lage. Savita ko bahut sharam aayi aur wo aakar apni jagah par baith gayi. Savita ki saas ne uska mata chum liya.


Abki baar Dance performance ki bari Manisha ki thi. wo fir se stage par aa gayi aur mike apne hath mein lete huwe kaha.


Manisha- To Ab Swagat kijiye Sabse chhoti, chulbuli, natkhat aur didi ki jaan Manisha ka. Are idhar dekhiye idhar. Are main hi hoon Manisha jo aapke samne khadi hui hai. Are ab koi mere liye bhi tali bajayega ya main aise hi apni performance karun.


Manisha ka bas itna bolna tha ki sab thahake lagakar hans pade. Manisha ne aage kaha.


Manisha- To Is dance ko aap aisa samajhiye ki main dance nahi kar rahi hoon balki Savi didi ye dance kar rahi hain. Mera matlab hai ki dance to main hi karungi. Lekin aap logo ko samajhna ye hoga ki didi dance kar rahi hain. Matlab main dance karte huwe didi ka act karungi to Kya aap sab taiyar hain.


Poora hall haan ke Swar se goonjh utha. Manisha Dance floor se center par aa gayi, DJ bajna shuru huwa.


Main sasural nahi jaungi, doli rakh do kaharo.

Sal - do sal nahi jaungi, doli rakh do kaharo.

Main sasural nahi jaungi, doli rakh do kaharo.

Sal - do sal nahi jaungi, doli rakh do kaharo.

Pahla sandesha sasur ji ka aaya.

Pahla sandesha sasur ji ka aaya.

Maine bhi kya khoob bahana banaya.

Buddhe sasure ke sath nahi jaungi. Doli rakh do kaharo.

Sal do sal nahi jaungi. Doli rakh do kaharo.


Gane ke bich mein sas, sasur, jeth, nanad sabka naam aaya. To Manisha bari bari se sabke paas jakar dance karne lagi. Sabhi thahake lagakar hans rahe the. Aakhir mein jab pati ka naam aaya to Manisha ne Savita aur Anant ko ek sath khada kar diya aur un dono ke sath dance karne lagi.


Gana jaise hi khatam huwa sabhi Manisha ki tareef karne lage. Manisha ne gane par bakhubi dance kiya tha wo bhi bahut hi masti aur chulbulepan se bharpoor. Manisha ki dance parformence ke baad Sarita dance floor par aayi aur mike sambhalte huwe kaha.


Sarita- Manisha ki dhamakedar dance performance ke baad ab jo performance hogi wo is sangeet samaroh ki aakhiri performance hogi aur wo performance bahut khas hogi, Kyoki ye performance Savi di aur Anant Jiju ke dwara ki jayegi. To dil tham ka baithiye. Kyonki stage par aa rahe hain Di aur Jiju.


Sabne taliya bajakar Savita aur Anant ka swagat kiya. Dono dance floor par aaye. DJ mein gana bajne laga.


Hum tere bin ab reh nahi sakte

Tere bina kya wajood mera

Tujhse juda gar ho jaayenge

Toh khud se hi ho jaayenge judaa

Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho

Chain bhi, mera dard bhi

Meri aashiqui ab tum hi ho

Tera mera rishta hai kaisa

Ik pal door gawara nahi

Tere liye har roz hai jeete

Tujh ko diya mera waqt sabhi

Koi lamha mera na ho tere bina

Har saans pe naam tera

Kyunki tum hi ho
Ab tum hi ho
Zindagi ab tum hi ho

Chain bhi, mera dard bhi

Meri aashiqui ab tum hi ho
Tumhi ho... Tumhi ho...


Gana jaise hi khatam huwa. Poora hall taliyo ki gadgadahat se gunj utha. Sabse jyada taliya Savi aur Anant ke dance par baji.


Isi tarah sabne sangeet seremony ka poora lutp uthaya fir sab khane ke liye chale gaye. Udhar Nishchal Sarita se baat karne ke liye mauke ki talash kar raha tha, lekin use Sarita se baat karne ka koi mauka nahi mil raha tha. Jab bhi wo Sarita ke paas jane ki sochta. To use Armesh pahle hi Sarita ke paas baithe huwe dikhayi deta.


Nishchal ko Armesh par bahut gussa aata. Nishchal ne soch liya ki wah ghar jakar Armesh se baat karega. Tabhi Charu Nishchal ke paas aayi aur boli.


Charu- Hey Handsome.

Nishchal- Hello.

Charu- Kya huwa tumhe. Kuchh pareshan ho.

Nishchal- Nahi to aisi kuchh nahi hai.

Charu- Chaliye fir sath mein khana khate hain.


Nishchal jana to nahi chahta tha, lekin kuchh sochkar wo Charu ke sath khana khane chala gaya. Sabhi ne khana khaya. Khana khane ke baad sabhi ghar jane ke liye nikal rahe the. Anant ke pariwar wale bhi hotal jane ke liye nikal rahe the.


Charu Nishchal ke sath khadi bate kar rahi thi. Nishchal Charu ki baat ka jawab to de raha tha, lekin uski najar us par nahi thi, balki wo kuchh hi doori par khadi Sarita ko dekh raha tha, Charu ne jab dekha ki nishchal usko nahi kahi aur dekh raha hai to usne Nischal ki najaro ka pichha kiya to Apne pichhe khadi Sarita ko dekha. Nishchal aur Charu ka is tarah apni taraf dekhna Sarita ko asahaj kar raha tha. Sarita ne apne man mein socha.



mallu-malayalam

Sarita- Shayad ye wahi hai jisase us din gadi mein pyaar mohabbat ki bate kar rahe the aur meri taraf dikhakar use bata rahe honge ki kaise maine us din over react kiya tha. tabhi to dekho kaise mujhe ghoor rahi hai.


Thodi der baad Nishchal ne Charu se kaha.


Nishchal- I think ki ab aapko chalna chahiye, sab hotal ke liye nikal rahe hain fir aap akeli pad jaogi.

Charu- hammmmmm. Sahi kaha. Bato- bato mein samay ka pata hi nahi chala. Well kal milte hain fir se. gud night. Take care.


Itna kahkar charu ne apna hath aage kar diya. Nishchal ne bhi apna hath aage badhakar Charu se hath milaya. Sarita un dono ko hi dekh rahi thi. Charu se hanth milate huwe Nishchal ne jab Sarita ko dekha to Sarita ne jhat se apni najar fer li aur idhar udhar dekhne lagi.


Kuchhh hi der mein Charu apne ghar walo ke sath hotal chali gayi. Anant ke ghar walo ke chale jane ke baad ab hall mein Nishchal ke gharwale aur sage sambandhi hi bache the. Nishchal ne Raghav ko apne paas bulaya aur kaha.


Nishchal- Tum aisa karo sabko ghar lekar chale jao. Main aur Armesh yaha ka kaam dekhkar aate hain.

Raghav- Tum sab jao. Main yaha ka sab dekh lunga.

Nishchal- Kuchh jaroori kaam hai tum abhi jao.


Raghav ne bhi Nishchal se jyada kuchh puchhna sahi nahi samjha aur sabko waha se lekar chala gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Shaadi ke function me tarah tarh ki act kiye jate hai. Jisme hansi bhi ata hai manoranj bhi ho jata hai.kuch act aise bhi hote hai jo ankho ko chhalkne par majbur kar deta hai.

Shadi function ko ek ranga ranga karykarm ki tarah pesh kiya. Aaj kaal to ye ek tend ban gaya hai.

Vaise ye amresh sarita ko fhasana to na cahta hai. Jab se aaya hai kuch na kuch kiya ja raha hai. Charu bhi chanch mare ja rahi hai. Kya hoga charu ko nishchhal melega. Amresh ko sarita ya hi koyi aor madhumakkhi aakar dono fhulo ka ras le jayega 🤪

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 

Top