Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF KHANAK KI MOM KO SANVY IMPRESS KAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF NAMITH KALPESH AUR BAAKI DOSTON KE SAATH MILKAR SAM & GROUP KO BARBAAD KARNE KI PLANNING KARTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-18

THE MAX FUN RESORT...
(A CHANDER'S PARADISE)




KYA JAGAH HAI YAAR YE.. JITNI BAAR BHI AAO,AISA LAGTA HAI PEHLI BAAR AA RAHE HAIN...

SAM ki personal 16 seater super luxurious mini bus se utar saamne resort ke board ko padhte ke baad kahi thi apni baat NITS ne...

is waqt black long t-shirt aur white capri me tha NITS aur uske kandho par tange chote se mini travel bag pack me baaki do pairs bhi kuch aisa hi the..

woh hi kya,baaki sab bhi issi tarah ke kapdo me aaye the..

sabhi girls ne sleeveless loose tops aur neeche shorts pehne hue the..

capris me toh hum bhi the par t-shirts ki jagah maine aur SAM ne loose shirts pehne hue the...

anyways,ek ke baad ek sabhi us mini bus se utar chuke the jiske baad entrance me hi khade vallet captain ne staff employees ko turant ishara kiya aur uske aisa karte hi puri chusti se aage aate hue un sabne hum sabke bags aur baaki saaman humse le liya..


CAPTAIN-good afternoon sir...

SAM-afternoon..

captain-please...


haath aage karte hue hum sab ko parking se main passway par chalne ke liye jaise request ki thi usne..

ab SAM ka resort tha toh usse aur uske chalte hume bhi VVIP treatment toh milni hi thi..

anyways,abhi hum aage badhte hue apne cottages ki direction ke taraf mudne waale hi the ki tabhi hume resort ka manager tezi se hamari taraf aata hua dikhayi diya...


MANAGER-good afternoon sir..sorry sir for being late..woh actually kuch guests ki complaints thi jinhe sort out karte karte deri ho gayi...

SAM-good afternoon and it's ok...

MANAGER-thank you sir..sir,jaisa ki aapne kaha tha,B wing me aap sabke liye cottages ready hain...

do attendents 24/7 aap sabke liye hired rahenge..playzones,pool area, barbeque garden,slides..jahan par jaisa bhi arrangement aapko chahiye,aap un dono ko bol dijiyega,it will be managed within an hour..

aur mai toh aas paas rahunga hi.. anything you need,mujhe bulwa lijiyega...


apne kaam ki kushalta aur owner ke prati halki chaplusi saaf jhalak rahi thi us manager ke awaaz aur ravvaiye me joki normal bhi thi.

ab apne owners ke saamne kaun khudko kaam ka nahi dikhayega...


SAM-hamari fikr mat kijiye aap..we will manage ourselves..waise bhi, jaisa aapne kaha,2 log rakhe gaye hain hamare service me toh itna kaafi hai..

aap resort sambhaliye..aap keh rahe hain ki kuch guests ko taklif hui thi,make sure ki phir aisa naa ho..

CHANDER'S have a reputation to protect..and as the manager of this resort, it's your duty ki aap hamari reputation ka khayal rakhen..


bilkul kisi professional aur safal entrepreneur ki tarah baat ki thi SAM ne jispar..


MANAGER-ofcourse sir...MAX FUN RESORT is one the finest in the whole of dehradun aur aisa hamesha hi rahega..


manager ki baat par halki si smile ke saath haan me sir ko jumbish sa diya SAM ne jiske baad...


MANAGER-ok then sir..i will take your leave then...i hope ki aapka ye stay pleasent aur memorable hoga..

jahan apni baat bol manager palath nikal gaya wahin mai pahuncha SAM ke baaju me aur uske kandhe par haath rakh..


MAI-waah babu moshaye...pakke businessman ki bhasha bolne laga hai tu toh lounde...

SAM-haina..chal issi baat par goggles nikaal..


ye bol mere pehne limited edition ray-ban glasses utaarne ke liye apne haath badhaye SAM ne jispar turant alag hua mai usse...


MAI-saale sir par baithao toh kaan me hi mutoge tum,kyun..??

SAM-bakwas band kar be..saale, subah se bol raha hun goggles dene ke liye aur bhaav khaaye jaa raha hai tu..

meri pehen le par tere mai pehnunga..

MAI-ghante se...har yaatri apne samaan ki khud zimmedar hoti hai...mai apni sambhal raha,tu apni dekh..

SAM-teri toh...


ye bol lapka mere piche SAM par jaanta tha mai ki aisa hi kuch karega woh isiliye mai pehle hi cottage ki taraf bhaag nikla tha..

RASHI aur KHANAK hi naye the idhar..baaki sab toh kayi baar aa chuke the yahan isiliye cottage area ka rasta pata tha sabko..


SAM-chupchaap goggles de de kamine warna..

MAI-warna kya be...nahi deta,bhaag saale...


cottage area ke paas pahunch unke aage bane garden ke jhule ke dono taraf khade hum dono ek dusre ko dhamka rahe the..


SAM-yahi dosti naa matlab..???saale ek goggle ke liye ro raha hai..


kuch der mujhe pakadne ki koshish ke baad jab kaamiyab nahi hua SAM toh mooh utaar ye baat kahi usne jispar uske paas pahuncha mai aur..


MAI-manhooso waala mooh bana dene se acting achi nahi ho jaati bhosdoke...

par tu bhi kya yaad karega..le pakad,aur ek scratch bhi aaya naa toh gaand faad dunga teri...


apne goggles uske haath me pakdaate hue ye baat boli mai jispar apne pure daant dikha diye saale ne par tabhi..


DHABBB..DHABBBB.... AHHHHH

mere peeth ke dono taraf ek ek zor ka mukka pada mujhe joki NITS aur SONU ne maara tha..

REASON...

woh dono ne bhi subah se do teen baar maanga tha mujhse mera goggle jispar sirf gaali hi mili thi dono ko par ab mujhe SAM ko goggles dete dekh sulag gayi thi dono ki..

bina kuch bole bas ghoor rahe the dono mujhe jispar..


MAI-ghoorna band karo be..iska chaska khatm ho toh pehen lena dono baari baari..

NITS-tu permission de raha hai.. ownership khatm ho gayi beta teri..

goggles toh pehenege hi hum aur ab tu maangega humse par jab humara man hoga,tab denge hum..

aur nahi hua toh bhool jaana..

MAI-teri shakal naa bhul jaaun mai..


tunka mai NITS par jispar woh kuch kehta ki tabhi...


KHANAK-how old are you guyzzz..ek goggle ke liye itna ladh rahe ho tum sab...

NAISHA-goggles..!!!arre pen ke liye bhi world war karte dekha hai humne in sabko..

ANJALI-aur shuruat hamesha ye SANVY hi karta hai...

MAI-aur khatm bhi..zyada chapad chapad ki toh tujhe bhi kar dunga...khatm,khatm ladki...

EKPREET-arre bas karo re..saala tum dono ka tom and jerry kahin bhi shuru ho jaata hai...


meri baat par ANJALI bhadak kar kuch bolne hi waali thi par EKPREET ki baat sun mooh ban gaya uska..


SAM-so,cottages saamne hi hai..thoda rest wagairah karna hai kya..??

NITS-rest..!!!abbe 500 kilometres travel karke aaye hain kya..!!rest sidhe raat ko,tab tak sirf dhamal yaaron...

SAM-so what first...???

RAJAT-lets hit the pool...

SAB-great idea...

SONU-yo..jjal ppari aur jjal ppara bbante hhain ppehle...

SAM-cool then..guyz...


un do attendents ko jinhe allot kiya gaya tha hamare liye aur jo is waqt humse thoda door khade the,unhe awaaz diya SAM ne jispar woh turant lapke hamari taraf..


1st-yes sir..

SAM-girls boys, dono ke swim wears le aao..fast...

1st-right away sir..


ye bol woh attendent turant badh gaya apne diye kaam waali jagah ke liye jiske baad..


SAM-hamare bags..

2ND-sir kaun kaise stay karega,iske baare me nahi bataya gaya tha hume..

toh maine chaaron ma'am ke bags 2,2 group ke according 2 rooms me rakh diye hain aur aap total 6 boys hain toh 3 cottage me hain aap sabke bags..

MAI-smart....stay bhi aise hi rakhte hain...4 girls do rooms,hum 6 hain,3 rooms hamare liye...

mere is raay ko sabhi ne maan liya tha jiske baad..


SAM-ok then..chalo phir.. cottages check out kar lete hain aur swim wears jab aayenge toh wahin change bhi kar lenge..


SAM ki baat puri hote hi hum sab apne apne pair ke saath cottage choose karte hue usme daakhil ho gaye..

SAM EKPREET ke saath tha,MAI RAJAT ke saath aur SONU,NITS ek cottage me the..

wahin girls me ANJALI, NAISHA ne ek cottage liya aur RASHI, KHANAK ne dusra..

is beech baaki sabke liye toh resort ki hi tarah cottage bhi purana hi tha par KHANAK aur RASHI ke liye ye puri jagah hi nayi thi..

sabse pehle ek chota sa hall,uske baad master bedroom with attached washroom aur aakhir me ek mini kitchen bhi tha har cottage me..

Oldham's bamboo se bana tha har cottage ka ceiling aur vinyl planks se hui thi puri flooring...

out and out,kaafi kharch kiya tha MRS CHANDER ne har cottage ki construction par jo wakayi khubsoorat bhi tha aur is waqt apne cottage ko checkout karti RASHI aur KHANAK ki aankhen bhi is khubsoorati ki taarif kar rahi thi...


KNOCK KNOCK KNOCK...


ek ke baad ek hamare har cottage ke darwazon par dastak hui thi...woh dono attendents hi the door par jinke haathon me hum sabke swim wears the..

boys ke liye swimming long shots aur girls ke liye black aur blue colour me sleeveless three-fourth legsuit...


SAM-some fresh lime sodas and juices pool ke paas rakh dena...


hume hamare swimsuits dene ke baad jab "ANY THING ELSE SIR"bola un dono attendents ne toh ki thi ye farmaaish SAM ne jisse sun apna apna sir adab se haan me hila chale gaye woh dono...

agle kuch minutes me ready ho chuke the hum sab jiske baad apne apne cottage se bahar nikal chuke the sabhi boys...


NITS-chalo bhai,gota lagaye zamana ho gaya hai..fataak se kudte hain pool me...

SAM-abbe girls ko toh aane de..

NITS-iski maa ka,swimming costume pehenene me bhi time lagta hai in chhoriyon ko..!!

RAJAT-arre mat puch bhai...aayne ke saamne khade hone ki deri hai bas..

jab tak har angle se khudke thobde ko dekhenge nahi, chain naa milta inko..

pata nahi kya checkout karte rehte hain,shakal toh waisi hi rahegi..

NAISHA-i heard that..


hum sabke piche the girls ke dono cottage jisse bahar nikal hamari baatein hi sun rahe the woh chaaron...

tark apna RAJAT ne rakha tha par NAISHA ki baat ke baad woh chaaron hum sabhi ko ghoor rahe the jispar RAJAT ke saath baaki sab bhi ghabra gaye the..

par is ghabrahat ki feeling ke saath ek aur ehsaas ne bhi janm liya tha loundo ke man me..

uttejana ka ehsaas..

maana jawani ke pehle sidhi par hi pahunche the hum sab par as said,, ladkiyan kuch zyada hi jaldi badi ho jaati hain,is baat ka sahi arth saamne tha hum sabke..

un black aur blue colour me sleeveless three-fourth legsuits me jinme chaaron hi girls ka sharir kuch zyada hi khilkar saamne aa raha tha,usse dekh aankhein halki badi ho chuki thi sabhi loundon ki..

ANJALI,NAISHA aur KHANAK ki toh body unki umar ke according hi nikhar rahi thi aur faces un sabke cute aur beautiful the jo unhe is aadhunik ang pradarshit poshakon me bhi cute aur beautiful hi banaye hue the par RASHI jo shaaririk tour par baaki teeno hi girls se zyada nikhri thi,uska pehna longsuit uske us nikhaar ko kisi taraashe hue murat ki tarah darsha raha tha..

beautiful toh woh thi hi par is waqt uski hotness itni zyada dikh rahi thi ki pucho hi mat..

girls ko bhi sabhi boys aur unki nazaron ka andaza tha isiliye RAJAT ki baat par jo kuch seconds pehle tak ghoor rahe the woh sab,ab wahi ghoorna sharam me badal chuka tha jiske baad..


NAISHA-stop it guyzz...


NAISHA ki awaaz se jaise vartaman me wapas aaye sabhi boys jiske baad jahan ek taraf SAM ne aakhon hi aankhon me ANJALI ko hot kaha, dusri taraf same gesture RAJAT ne bhi apni G.F NAISHA ko diya par teesri taraf the NITS aur EKPREET jinki nazar jaise RASHI par chipak hi chuki thi..

SONU bhaisahab ko toh in sab chizon se matlab tha nahi aur bacha mai..

nazar meri KHANAK par thi par uski body par nahi balki uski face par..

aur shayad KHANAK is baat ko jaan chuki thi isiliye sharm ke saath uski aankhon me respect bhi thi mere liye..

anyways,kuch der tak ye sab chalta raha jispar frustrate hote hue..


SONU-gguyzz,nnain mmattaka hhi kkarna hhai ttoh wwapas gghus jjao rooms mme...


SONU ki baat sun hum sabke ek dusre ko checkout karne waala scene ekdum se rook gaya...


ANJALI-toh hum late karte hain,kyun...???toh chalo, dekhte hain,who hits the pool first..


pehle hi ek dusre ko aankhon hi aankhon me bhaagne ka ishara kar chuki thi ANJALI aur jaise hi uski baat puri hui,chaaron girls doud padi pools ki taraf..


ANJALI-common girls..we have to beat the guyz..

MAI-aisa....hara lo phir...


ANJALI ko kaat uske baaju se aage nikalte hue kahi ye baat maine jispar piche hote hi mere baal pakadne ki koshish ki ANJALI ne par kaamiyab nahi ho paayi..

mere saath saath baaki boys ne bhi saari girls ko peeche chhod diya tha...

darasal mai hi kya,hum sabne girls ke ishare dekh liye the isiliye unke bhaagte hi hum bhi bhaage the..

CHAPPAKKKKH....

kuch hi palon me pool ke edge par pahunch chuke the hum jiske baad ek saath kood pade usme hum sab...

waise ek dusre se lag kar kul 2 pools the resort ke is taraf.. dono pools ke beech me ek 4 feet chowda raasta bana tha...

hum sab chiz pool me kude the,woh dusre waale se bada hone ke saath saath aage chalkar deep bhi tha isiliye guest is waale me kam hi the..

haan dusra pool kaafi bhara hua tha logon se..

anyways,pool me chhalang lagate hi...


EKPREET-now, who's the looser haannnnn..


haan bolte bolte rook gaya tha EKPREET aur woh isiliye kyunki pool edge lar apne dono kamar par haath rakh hum sabko ghoor rahi thi chaaron girls..

saala ye acha hai,khud race ke liye challenge karo aur agar haar jaao toh mooh fula lo...

par ye ghoorna fake tha..agle hi pal KHANAK ko chhod baaki teeno girls pool me kood chuke the...

aur ye dekh..


SAM-tumhe kya alag se invitation dena hoga.. just jump babes..

KHANAK-no yaar.i don't know swimming,so mai..

SAM-oh common yaar.. lagbhag 5 feet paani hai start me...sirf chin tak aayega tumhare..

KHANAK-nahi yaar...mai yahin baithi hun...you guyz enjoy,we will do something else afterwards...

MAI-rehne de yaar SAM...paani 5 feet ho ya 50..darpok kisi bhi gehrayi me darpok hi rehta hai...


KHANAK ki baat par phir kuch bolne waala tha SAM par tabhi meri baat sun haskar ANJALI ki taraf swimming karte hue badh gaya woh...

wahin KHANAK meri baat sun ghoorne lagi thi mujhe jisse dekh..


RASHI-ghoor kya rahi hai...sahi toh bola hai SANVY ne..guyz,isne mujhe car me hi bol diya tha ki swimming nahi karegi ye...

RASHI ki baat sun sabhi hasne lage par KHANAK toh ab bhi mujhe hi ghoore jaa rahi thi..

ghoorna kya,sabse nazar bacha budbudate hue dhamki si de rahi thi woh mujhe aur ye dekh..


MAI-kya khoob kaha hai MOHOMMAD RAFIJI ne ki"isharon isharon me dil lene waale,bata ye hunar tune sikha kahan se"...

NITS-hain..abbe,ye line abhi kahan se fit baith gayi...???

MAI-fit kara diya humne,dil kiya,gaa diya humne...

RASHI-but the line was too cool yaar SANVY... what was that again..???

MAI-isharon isharon me dil lene waale,bata ye hunar tune sikha kahan se"...

KHANAK-"nigahon nigahon me jadu chalana,meri jaan sikha hai tumne jahan se"..


meri kahi pehli do lines ko pura kiya KHANAK ne agle dono lines bolkar jisse sun...


RASHI-wow, that's was so cool..guyz,yahan se nikalte hi chahiye mujhe ye song..

KHANAK-hai mere paas..i will share it..

NITS-abbe kya baatein lekar baith gaye tum log.. guyz,we are in pool..what say, bohot din ho gaye,lets race...


pehle bhi kaafi baar return lap ki race laga chuke the hum sab yahan isiliye aaj bhi ye karne ka idea diya NITS ne jisse sun..


I AM IN...


ek ke baad ek sabhi ne haami bhari..


ANJALI-pehle hum, girls karenge..

SAM-sure babes...

ANJALI-so girls,pool ke dusre end ko touch kar wapas aana hai yahan..jo pehle pahuncha, she's is the winner....ready...!!!

RASHI-yup..

RAJAT-alright then...1,2,3...go....


RAJAT ke go bolte hi teeno ladkiyan macchli me badal chuki thi...ANJALI aur NAISHA toh acche swimmers the hi par RASHI bhi kaafi acha tair rahi thi..

anyways, girls ke swimming start karte hi jahan SAM aur RAJAT apni apni gfs ko cheer kar rahe the wahin EKPREET aur NITS RASHI ko..

SONU toh khudhi me mast tha..halka halka idhar udhar tair raha tha woh aur bacha mai.

KHANAK ne apne paas aane ka ishara kiya tha mujhe jiske baad pahuch chuka tha mai uske kareeb..


KHANAK-so..

MAI-so..!!!

KHANAK-bataya nahi tumne,aisa kya kiya tumne ki mom ne dad ko convince kiya taaki mai is overnight stay par aa sakun..!!

MAI-aren't you happy..??

KHANAK-very...

MAI-toh chhodo phir baaki baatein..khana acha ho toh khaane aur sheff ki taarif karte hain...

kya daala,kyun daala,in sab maths me fase rahe toh zaayke ka maza adhura reh jaata hai..

KHANAK-mai toh bas SANVEER AHARYA ko samajhne ki koshish kar rahi hun...

itna toh hakh hai naa mujhe...!!!

MAI-hakh maanga nahi jaata,bas le liya jaata hai...hakh aur SANVEER dono saamne hain aapke,thodi doori hai bas..

kareeb aao, haath badhao aur le lo...

SONU-aajja SANVY,hamari baari...


girls ki swimming race puri ho chuki thi jisse ANJALI ne jeet liya tha...

ab boys ki baari thi isiliye SONU ki awaaz par apni baat kehne ke baad KHANAK ko wink kar chal pada mai baaki sabki taraf..


1,2,3 GO..GO BABY...WIN IT FOR ME...


ANJALI ne ki thi ye counting jiske baad hum sabne swim karna start kar diya tha jiske kuch hi palon ke baad first aur last kaun aayega,ye dono hi result clear ho chuke the..

kyunki jahan ek taraf SAM sabse tez swim karta hua aage badh chuka tha wahin mai sabse dheeme tha..

mere aage NITS tha jo last second hone ke baad bhi mujhse 3 metre aage tha..

aur door se ye sab dekh rahi KHANAK ne haste hue sir shake kar wahin baithe baithe hi jitna dikh raha tha, utne resort ko check out karna shuru kar diya tha..


ANJALI-and that's the winner.. my baby...


second number par joki EKPREET tha,usse bhi 6 metre ke gap se jeeta tha SAM jiske paas aate hi usse hug karte hue kahi ye baat ANJALI ne...

EKPREET ke baad third tha RAJAT, fourth tha apna SONU aur fifth NITS...

woh sabhi finishing point par pahunch chuke the jiske baad..


RASHI-hey, where's SANVY...??


RASHI ki baat sun sabhi piche palath dekhne lage par mai udhar nahi tha..

udhar kya,kahin nahi tha mai aur ye dekh..


NITS-abbe ye kahan nikal liya...???

ANJALI-dekho guyzz,woh lazy ass tairte tairte thak kar doob naa gaya ho...

AHHHHH....CHAPPAKKKKH....


ANJALI ki baat puri hui hi thi ki tabhi pehle ek darne ki cheekh aur phir kisike paani me girne ki awaaz padi un sabke kaano me jiske baad..


RASHI-KHANAK....


ye KHANAK hi thi jo pehle cheekhi thi aur us cheekh ke khatm hone se pehle hi neeche paani me gir chuki thi..

aur is drishya ka sutradhar tha mai...

aur jab mai KHANAK ke baaju mese paani se bahar aaya toh maajra samajh chuke the sabhi..

paani ke andar hi andar tairte hue pahuncha tha mai aur KHANAK ke paas jiske baad uske dono pairon ko pakad kheench liya tha maine usse aur ye sab dekhne aur samajhne ke baad..


HAHAHAHAHA...

EKPREET-and there comes our new mermaid...awesome dude...


EKPREET ke saath saath baaki sab bhi mere KHANAK ko paani me girane par hasne lage..


MAI-relax KHANAK..nahi doob rahi tum..


KHANAK jo panic me hone ki wajah se thuddi tak hi paani me hone ke baawjud tezi se haath pair chalate hue khudko jaise doobne se bachane ki koshish kar rahi thi..

par meri awaaz sun mujhe sahara bana jhapat si padi woh aur lambi lambi saansein lene lagi.

is beech uski haalath par sab has hi rahe the jo thoda relax feel karne ke baad usne bhi gour kiya aur tabhi...


KHANAK-gande kahin ke..

DHABBBB... DHABBBB...


mere shoulder par ek ke baad kayi mukke jadh diye the un foolo jaise naazuk hatheliyon ne aur kuch der aisa karte rehne ke baad mooh foola wapas bahar nikalne lagi KHANAK jisse dekh.


MAI-arre ab toh aa gayi pool me..reh jaao thodi der...


meri baat par kuch nahi kaha KHANAK ne aur pool stairs ki taraf badhti hi rahi jispar..


SAM-common yaar KHANAK...be a sport...hum sab yahan enjoy kar rahe hain aur tum upar akele baithne jaa rahi ho..

NAISHA-ab toh paani se thoda bohot dar bhi chala ho gaya hoga tera..aaja yaar, thodi aur der rahegi toh pura hi dar nikal jaayega...

pehle SAM aur phir NAISHA ki baat sun palti KHANAK aur kuch der un sabko dekh unki taraf badh gayi..


KHANAK-alright..par tum door rahoge mujhse...


mere paas se guzarte hue kahi thi ye baat KHANAK ne jispar..


MAI-mai toh reh jaaunga..par sawal ye hai ki kya tum reh paaogi...

KHANAK-hmmp..aaye bade...


dheere se kahi thi ye baat maine par sun liya tha KHANAK ne aur mooh banate hue baakiyon ke pass chali gayi...


SAM-now that's the spirit..guyz,lets catch some ball..

excuse me,can you get us a ball please...

1ST-sure sir...


paas hi khade hamare dono personal attendents se kahi ye baat SAM ne jispar turant amal hua..

2 minute me hi hum sabke paas volleyball ki tarah ka hi tarah ka par size me usse chota ek ball aa chuka tha...

thodi thodi doori banakar paani me khade ho chuke hum sab..

mere ek side SONU tha aur dusri taraf RASHI thi..

KHANAK ke saath ANJALI aur EKPREET khade the...

KHANAK sabse kam level water me thi jiske saath NITS khada tha..

baaki bache alag angle banaye khade the..

ball SAM ke haath me hi tha jisse usne NITS ki taraf ucchal diya..

araam se pakda tha ball NITS ne jiske baad usne ball ANJALI ki taraf fek diya..

issi tarah ye ball catch game aage badhta gaya par har baar jab bhi ball KHANAK ki taraf jaata toh woh mujhe dekhti ek baar par ball dusri taraf throw kar deti..

tease kar rahi thi woh mujhe jispar mai bas muskura bhar raha tha...


SAM-SANVY RASHI,race and fetch...


ye bol SAM ne ball hum dono ke beech ki disha me par humse kaafi aage ki taraf door phek diya..

aage gehrayi zyada thi isiliye mai aur RASHI dono hi tairte hue aage badhe the..

aur ball ke paas pahunchte waqt jab RASHI ne paaya ki mai aas paas nahi hun toh first ball fetch ki khushi me ball pakadne lagi hi thi woh ki tabhi..

AHHHHHH....

ball aur RASHI ke beech paani ke andar se nikla mai aur RASHI ko kamar se pakadte hue thoda upar uchhal diya.

mere yun achanak paani se bahar aane aur usse ucchalne ki wajah se dar gayi thi RASHI aur chilla uthi par turant normal bhi ho chuki thi woh..

par tab tak ball grab kar SONU ki taraf fekh chuka tha mai par tabhi..


RASHI-SANVY,you...


aisa bolte hue mere gale ke ird gird apne haathon ka ghera banate hue mere peeth par kood si gayi thi RASHI jispar hasa mai aur...


MAI-need a ride...!!!

RASHI-matlab...!!!

MAI-matlab ye..

RASHI-SANVY...


apni baat bol RASHI ke dono haathon ke grip ko apne gale me strong sa karta hua khudko paani ke thoda andar hokar aage dhakel chuka tha mai..

mere is sudden forward movement se hadbada si gayi thi RASHI par ek achi tairak hone ke kaaran mai kya kar raha hun,naa sirf ye samajh chuki thi woh balki khudko balanced kar mere peeth par ache se khudko adjust kar chuki thi RASHI...

paani ke thoda andar badi
swiftly tairta hua aage badh raha tha mai aur mere gale se hokar peth se hote hue pairon tak ki perfect swimming rythm ko bade ache se feel kar rahi thi RASHI aur mere is hunar se kaafi prabhavit bhi ho chuki thi woh..

wahin hum dono se door khade hamare doston ko toh aise lag raha tha jaise kisi under water motor boat ki sawari kar rahi thi RASHI..


RASHI-that was awesome dude...i mean,mere wazan ko bina koi problem ke kitni asaani se utha liya tumne aur balance bhi aisa ki mujhe zyada focus bhi nahi karna pada...

MAI-wazan ke maayne paani ke bahar hote hain,uske andar nahi..aur mai andar tha..aur paani ke andar,it is not that a big deal..


apne friends ke paas pahunchne ke baad jab utri meri upar se RASHI toh mere paani se bahar nikalte hi kahi ye saari baatein jispar mere jawab ko sun..


RASHI-it is a big deal yaar..pehle toh nahi dekha maine kisiko aisa karte hue.. guyz,tum sab bhi underwater itni swiftly swim kar lete ho..??

RAJAT-tair toh lete hain,par itni swiftly,no...aur saale,tune kab sikha ye sab...???

MAI-masoori kayi baar gaya hun mom ke saath unke official visits par.

hotel me akela hi rehta tha din bhar toh yahi sab karta rehta tha..

NITS-haan,aur hum yahan school me dubey sir ki hindi sunte the..kameena,akele akele ghumiyo bas tu...

MAI-done..

SONU-kkya ddone bbe..

MAI-akele ghumna... aur waise bhi,enjoy karna bhi ek hunar hai jo har kisiko samajh me nahi aata...


KHANAK ko jo mujhe hi dekh rahi thi,ek second ke liye uspar nazar ghumate hue kahi ye baat maine jispar uske face par ghussa wapas lout aaya..

wahin meri baat sun..


NITS-hain..!!kya bol raha hai tu..kisse kya samajh me nahi aata..??

KHANAK-yaar mujhe toh sidhi swimming bhi nahi aati..SAM,will you teach me..


baaton ka rookh wapas uski taraf naa ho jaaye, isiliye ye nayi baat rakhi KHANAK ne..

par uski baat sun halka sa muskura diya tha mai aur woh isiliye kyunki SAM ka naam lete hue mujhe dekh jaise tease sa kiya tha KHANAK ne..


SAM-sure...let me get a stomach tube for you..balance karna easy ho jaayega tumhare liye...

ye bol ishara kiya SAM ne ek attendent ko pool ke side me rakhe stomach tube ko paas karne ke liye jo kuch hi seconds me usne hamari taraf throw bhi kar diya tha..


SAM-come..


tube KHANAK ke waist par kisi belt ki tarah adjust karne ke baad usse liye hum sabse halka door chala gaya SAM taaki haath pair chalane ke liye thodi jagah ban jaaye..

is beech KHANAK ne ek nazar dekha tha mujhe..


RASHI-SANVY,can you...

MAI-sure..


meri tarah underwater swimming sikhna chahti thi RASHI..jaanta tha mai ye isiliye uske sentence pura karne se pehle haan keh diya maine aur uske saath tairta hua thoda aage nikal gaya..


RAJAT-yaar ye dono toh trainer ban gaye..ab hum sab kya karen..!!!

ANJALI-karen kya matlab...!!!lets again start fetch...


ye bol ball thoda door fekh diya ANJALI ne jisse pakadne ke liye lapke sabhi ke sabhi...

wahin mai aur RASHI pool ke gehre part ke upar pahunch chuke the jiske baad..


RASHI-deepest depth kitni hai is pool ki..

MAI-12 feet..aur abhi ussi depth ke upar hain hum...

ok so i think ki underwater toh tair hi leti hogi tum, toh bas friction kam hogi, right..!!!

RASHI-yup par jo wave ki tarah move ho rahi thi tumhari body, woh seekhni hai mujhe..

MAI-usse hi friction bolte hain madam.. but, woh sikhane ke liye start me i have to hold your stomach...

RASHI-aww,SANVY is shy.so cute..

MAI-hehe..shut up...

RASHI-hahaha..i know yaar aur ab filhal trainer ho mere tum toh you are allowed...

MAI-allowed...nice...ok,so dono haath apne thighs ke paas straight rakho and push start with a forward movement...

shuru me bas pair chalakar swim karo,i will be holding your stomach isiliye movement me problem nahi hogi aur jab balance ban jaaye toh shoulders se lekar pairon tak move karne ki koshish karo khudko but one part at a time,got it..!!

RASHI-thoda thoda..

MAI-abhi ke liye kaafi hai..now start..


mere aisa bolte hi khudko aage ki taraf push kiya RASHI ne aur uske saath saath maine bhi khudko aage dhakelte hue uske stomach ke beech haath rakh diya tha..

haath thighs par the RASHI ke par is tarah aage badhne ke kaaran normal swimming movement se kaafi slow ho chuki thi uski..

upar se top to bottom fro movement ke kaaran balance bhi kaafi bigadne laga tha RASHI ka and the most important thing,ye movement agar perfect naa ho toh hadh se zyada exausting hoti hai jo RASHI ke saath bhi hua..

30 seconds me hi haalath kharab ho chuki thi uski jiske baad normally swim karna bhi bas me na raha uske..

hum dono abhi bhi kareeb 9 feet paani me the isiliye thakte hi jab RASHI thodi sideways gayi toh mere haath se hat gaya uske stomach aur woh neeche drown hone ko hui..

par ye sab toh jaanta hi tha mai isiliye jaise hi RASHI ka balance bigda aur uske haath thighs se hat upar ki taraf hote hue chhatpataye toh unhe turant hold kiya maine aur agle hi pal RASHI mere peeth par thi...


RASHI-ohh..thanks SANVY..saans....atak...hi...gayi....thi....yaar...meri....toh..

pakad....liya...tumne....nahi...toh...thakan.....ki wajah....se...pakka...doob..jaati...mai...


haafne ke beech atak atak kar kahi apni baat RASHI ne jispar mai bas muskura diya tha..


NITS-kya kismat hai yaar is lounde ki..kabhi RASHI ke peth ko pakadta hai,kabhi usse apne kandhe me uthata hai...

paani ke beech hain dono par aise chipke hain ki paani kya, hawa bhi paas nahi ho rahi hogi dono ke beech se...


mujhe aur RASHI ko dekh khudse hi kahi thi ye baat NITS ne par usse ye dhyan nahi tha ki is waqt woh bhi pool edge par tha jahan uske aur baaki sabhi ke saath SAM aur KHANAK bhi khade the...

ussi point ke kareeb hi SAM KHANAK ko swimming ke basic lesson de raha tha..

aur NITS ki baat sun woh toh bas muskura diya par KHANAK ki aankhein mujhe ghusse se ghurne lagi thi..

woh bhale hi abhi SAM ke saath thi par is pure douran KHANAK ka focus bata hua tha..

woh swimming sikhne par bhi dhyan de rahi thi aur saath hi saath mujhpar aur RASHI par bhi nigahen thi uski..

ab tak jo bhi hua tha,woh chuppa nahi tha usse par un saari chizon ka vishleshan jab NITS ne apne andaz me kiya toh uska mujhe ghurna ghusse me badal chuka tha...


NAISHA-so,learnt something..!!!


hum dono ke un sabke paas pahunchte hi pucha ye sawal NAISHA ne jispar...


RASHI-kahan yaar..???jitna dikhta hai,usse bohot zyada tough hai ye sab...

ANJALI-tough wough koi nahi,is SANVY ko kuch sikhana hi nahi aata...

MAI-ye toh sahi baat hai..agar mujhe sikhana aata toh kab bolna hai aur kab apne kaam se kaam rakh chup rehna hai,naa sikha deta mai tujhe...

ANJALI-tu sikhayega mujhe...!!! dikha toh sikha ke...

MAI-waah..dikhaun bhi aur sikhaun bhi...do do activities..laalchi aurat..

SSSSSS...


meri baat par ANJALI kuch bolti ki tabhi meri hatheli ke paas joki paani ke andar tha,ek tez chikouti kaati thi kisine..


EKPREET-abbe,kya hua...???

MAI-kuch nahi..madhu makkhi ne kaata...


ek baar KHANAK ki taraf dekh kahi thi maine ye baat..ussine toh chimta tha mujhe aur woh bhi zor se...


RAJAT-honey bee woh bhi paani ke andar..kuch bhi saale...

MAI-haan,aur kuch bhi naa ho isiliye nikalte hain ab paani se ki aur rookna hai..

SONU-hho ggaya bbhai appna toh..

NAISHA-mee too.2 ghante se hain hum yahan... aur ruke toh sun tan ho jaayega pakka...

let's go..

SAM-KHANAK..aur sikhna hai ki aaj ke liye kaafi hai...waise first time ke hisaab se kaafi acha catch ki tumne har chiz...

KHANAK-thanks and yes.. chalte hain ab...sabne kuch zyada hi enjoy kar liya hai yahan..


ek baar phirse mujhe dekh kahi ye baat KHANAK ne jiske baad mai turant nikla POOL se bahar..

mere piche piche baaki sab bhi ho liye the jiske baad..


SAM-girls aaram se..yahan ke floors slippery hain bohot...

AHHHHH...THAPPP....HEY,WATCH OUT MAN...


abhi SAM ki baat puri hui thi ki tabhi KHANAK ka pair halka fisal gaya aur balance bigadne ki wajah se uske aage khade EKPREET se jaa takrayi woh..

EKPREET se takkar ki wajah se KHANAK ka toh balance wapas ban gaya par EKPREET dusre pool se just nikle ek bande se jiske haathon me juice ka glass tha, halka takra gaya...

juice chhalak gaya tha us bande ke glass ka jisse dekh...


EKPREET-sorry dude,woh balance bigad gaya tha..

LADKA-its ok man..


khudke upar hi gire juice ko saaf karte hue kahi ye baat us bande ne ki tabhi..


KHANAK-DEEPESH..


ussi bande se kahi thi ye baat KHANAK ne jispar jab uski nazar bhi KHANAK par padi toh..


DEEPESH-hey KHANAK.. what's up yaar...!!!long time,haan...


aage badh ek dusre ko side se hug karte hue kaafi waqt ke baad milne ki khushi jatayi un dono ne jiske baad...


KHANAK-guyzz..meet DEEPESH...mere pichle school ka classmate tha ye..(PRINCE SCHOOL)

and DEEPESH,these are my friends from my current school...

NITS, EKPREET,SONU,SANVY,RAJAT,ANJALI, NAISHA RASHI and that's SAM...

DEEPESH-hey guyzz..aur SAM ko kaun nahi jaanta KHANAK.. interschool champ hai ye...


DEEPESH ke hey par hum sabne bhi same gesture diya tha usse aur SAM par kahi uski baat par bas muskura diya woh jiske baad...


KHANAK-so,kiske saath aaya hai...??? friend's ya family...

DEEPESH-family yaar..A wing waale rooms me ruke hain hum sab..tum log bhi udhar hi ho kya..??

KHANAK-nahi.. cottages liye hain SAM ne sabhi ke liye...

DEEPESH-nice...


ek baar apne water proof watch par nazar saali DEEPESH ne aur..


DEEPESH-oops..late ho gaya..

KHANAK-late for what...???

DEEPESH-mom dad mere liye lunch par wait kar rahe honge yaar,kuch zyada hi time le liya pool me maine..

waise tum sabka kya plan hai.!!!

SAM-abhi toh socha nahi hai..lunch karenge hum sab bhi pehle. phir dekhte hain...

DEEPESH-cool.. alright then..i will catch up with you all later...bye..

SAB-bye..

ANJALI-guys,bhook toh wakayi kaafi lagi hai...chalo,lunch karte hain...


pool me itne waqt rehne ke kaaran bhook toh sabhi ko jam kar lag gayi thi isiliye hum sabhi apne cottages ki taraf badh chale..

wahin dusri taraf...



DEEPESH-hey buddy...


ek hi number se kaafi missed aaye the DEEPESH ke mobile par jisse checkout karte hi ussi number ko dial kiya tha usne..


BUDDY KO CHADDI ME GHUSA SAALE AUR BATA,PHONE KYUN NAHI UTHA RAHA THA TU...


DEEPESH-abbe pool me tha mai..ab udhar mobile ka kya kaam...???

SAALE TUJHE ENJOY KARNE BHEJA HAI KYA MAINE...???

DEEPESH-relax NAMITH..abhi dopahar ko hi pahunche hain SIRIUS waale... infact,abhi pool me mil bhi liya mai un sabse...

NAMITH-what..???saale tujhe bola tha naa ki direct interaction mat karna un sab se...

DEEPESH-abbe accidentally hua..meri ek X classmate bhi thi unke group me..ussine dekh liya tha mujhe...

convo avoid karta toh shak ho jaata un sabko..

NAMITH-pakka shak nahi hua hai naa unhe tujhpar...

DEEPESH-abbe aise kaise shak ho jaayega...resort ha ye..hazaron guest aate jaate hain idhar..

mai bhi aa gaya..kaafi chil out hokar mile woh sab apni barbaadi se aur acha hi hua yaar..

un sabka stay jaanane ke liye faaltu picha bhi nahi karna pada mujhe...

baaton hi baaton me pata chal gaya mujhe.. cottages me thehre hain woh sab joki hamare plan ke hisaab se badhiya jagah hai..

resort end me bane hain woh cottages jahan araam se jaa sakta hun mai...

NAMITH-sambhal kar aur khaas kar jis lounde ki photo dikhayi thi maine tujhe, uski nazaron se bachkar hi rakhna hai tujhe MAAL unme se kisike bhi kamre me...

DEEPESH-kaun woh SANVEER..!!!

NAMITH-haan,wahi haramzada..

DEEPESH-pata nahi kyun hype de raha tu us lounde ko,mere ko normal, average hi laga woh..

tu tention na le,i got this..

NAMITH-toh phir kab kar raha hai...??

DEEPESH-dekhta hun.. soch raha hun,aaj bas nazar rakhta hun..kal kisi bhi time implant kar dunga..

NAMITH-ye bhi theek hai.par sun, implant karte hi turant nikal jaana wahan se aur phir call karna mujhe..

tu mujhe karna, phir mai ek phone ghumaunga..

DEEPESH-done,chal rakhta hun..bye..

NAMITH-bye...

well....

SIRIUS WAALON...




bhale hi ab tak tum sabse baazi maine HAARI HAI....

hisaab pura hua,ab chukani mujhe puri UDHAARI HAI....

sukoon ki chand saansein bachi hai,samet lo unhe...

aaj bhar ki mouj hai par kal tum sabke saza ki BAARI HAI...











AAJ KE LIYE ITNA HI....










AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY AUR USKE SAARE DOST RESORT ME ENJOY KAR RAHE HAIN WAHIN DUSRI TARAF NAMITH NE SAM AND PARTY KO SABAK SIKHANE KE LIYE RESORT ME DEEPESH KO BHEJA HUA HAI..

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-19


THE MAX FUN RESORT...
(A CHANDER'S PARADISE)





"GIVE ME SOME SUNSHINE,GIVE ME SOME RAIN"..

"GIVE ME ANOTHER CHANCE,I WANNA GROW UP ONCE AGAIN"...


guitar ki base tune ke saath three idiots movie ke song "SAARI UMR HUM,MAR MAR KE JEE LIYE"ke main punching lines ko high pitch par gaa raha tha DEEPESH..

shaam dhal chuki thi...is waqt hum barbeque garden me born fire jalakar baithe the..

din bhar huddang machane ke baad sabhi friends is hari bhari garden me sukoon ke saath ek dusre ke aas paas baithe hue the...

ANJALI apne BF SAM ke pehlu me thi,NAISHA RAJAT ke,un dono ke hi kareeb baithi thi KHANAK aur baaki sab us born fire ke ird gird ek ghera sa banaye baithe the...

jaisa ki DEEPESH ne bola tha, lunch ke baad join kar liya tha usne hume aur is pure waqt woh hamare saath hi bana raha tha..

sabse bonding bhi kaafi achi ho chali thi uski..

is beech KHANAK se sabko uske talent, singing aur guitar playing ke baare me pata chala aur isiliye,sabke insist karne par woh SAM ke through mangwaye guitar ko play karte hue sabko gaana suna raha tha...

anyways,song me un english lines ko repeat karte hue us gaane ko khatm kiya DEEPESH ne jiske baad ussike paas baithe sabhi ne clap karte hue uske singing aur guitar playing talent ki taarif ki jispar guitar side me rakh muskurate hue abhivadan diya usne...


KHANAK-arre DEEPESH...uncle aunty kahan hai..??itni der se saath hai tu hamare,unhe fikr ho rahi hogi...

DEEPESH-mom dad toh lunch ke baad hi nikal gaye the..maine ek din extra rookne ka insist kiya toh maan gaye dono..

ab vacations ki last second shaam hai jo mai apne ghar ke bedroom me nahi bitana chahta...

RASHI-true yaar.. vacations bhi itni jaldi khatm ho gaye ki pata hi nahi chala..

aisa lag raha hai jaise abhi abhi toh chuttiyan shuru hui thi aur ab khatm hone ko hain..

NAISHA-haan yaar.. parso se phir jaldi utho, ready ho, school jaao, assignments pure karo..wahi ghisa peeta routine wapas shuru ho jaayega...

ANJALI-aur absent ho jaao toh teacher ki dhamki... attendence puri nahi hui toh exam me baithne ko nahi milega..

NITS-tum padhayi se bhaagne waale students ko toh kitni hi chuttiyan mil jaaye,kam hi lagega naa...

mujhse toh school khulne ka wait bhi nahi ho raha...


apne aap me goom sa hote hue kahi thi ye baat NITS ne jispar DEEPESH ko chhod sabhi usse ghoorne lag gaye..


SONU-ssaale,sschool kke lliye exccitement hai wwoh bhi ttujhe..!!!

ddopahar kko rone jjaisi shakal bbanakar nbol raha tha kki kkaash hhar hafte bbas ssunday kko hi sschool llagti aur bbaaki ddin cchutti hote..

saale ppaltu...


SONU ki baat par khise nipor diya NITS ne jispar sabhi muskurane lage..


DEEPESH-yaar SAM...tum bhi kuch sunao..


ye bol guitar uski taraf badhaya DEEPESH ne jispar..


NITS-bhai abhi yeh sab rehene do yaar...pehle thoda murga chakh len,uske baad baaki sab..

EKPREET-abbe thodi der pehle hi toh tacos,burger sab pela hai tune...

NITS-abbe usse bhi kabhi pet bharta hai kya..time paas tha woh sab,bas...

SONU-sach bol naa be...yaar barbeque agar SANVY karne waala ho toh ye kamina kuch bhi kyun naa khaya ho,iski bhookh badh hi jaati hai...

NAISHA-well ye GALATH bhi nahi hai..i mean jab baat BARBECUED CHICKEN ki ho toh
SANVY is like an official chef..

gazab taste hota hai uske banaye chicken pieces ka...

RASHI-really...!!!

RAJAT-khud taste karkar dekh lena...

NITS-taste toh tab karenge jab woh banayega...aur banayega tab jab idhar aayega..

kameena aaya bhi nahi ab tak...

ANJALI-lo,naam liya aur shaitan haazir..


second attendent ke saath mujhe aata dekh kahi ye baat ANJALI ne...

mere hathon me ek bade se patile jaisa bartan tha jisme marinated chicken the..

wahin attendent ke haathon me bhi ek bada sa bartan tha jisme raw vegs the,salad ke liye...

NITS-saale,ek do ghante aur der se aana tha...

MAI-pehle maine bhi yahi socha tha..

perfect taste ke liye overnight ya phir kamsekam 6 ghanton ki marination zaroori hoti hai par teri bhukmarri jaanta tha mai isiliye pehle hi le aaya..

ATTENDENT-sorry sir..maine inhe kaha tha ki mai sab lekar aa jaunga par ye nahi maane..

chicken pot mere haathon me ki wajah se us attendent ko laga ki shayad SAM naaraz hoga isiliye pehle hi apni safayi joki sahi bhi thi,de di usne jispar..


SAM-i know brother..ye aisa hi hai..agar ye kuch pakata hai toh us dish ki taiyari se lekar har chiz khudhi karta hai..

tabhi toh afternoon aapke saath jaakar chicken marinate bhi khud hi kiya tha isne...

NITS-tabhi toh taste bhi ek tarfa hota hai bhai...bhai,ab banana start kar de yaar..bhayanak bhool lagi hai.. pel ke khaaunga aaj toh...

MAI-ee,isko door rakho re... nahi toh har skewer ke pake piece kheench lega ye...

RASHI-arre toh khaane do naa.kitna hi khaa lega..

SONU-ppura...

RASHI-really... quantity kitni hai..??

ATTENDENT-2 KG ma'am..

RASHI-2 kg akela thodi naa khaa paayega yaar..

RAJAT-taste karne ke baad bolna ye...

bhai SANVY,shuru ho jaa yaar..ab toh mujhe bhi bhook lagne lagi hai..

chal,mai help karta hun teri..

MAI-kuch karne ki zaroorat naa hai..main kaam toh marination ka hi tha,ho gaya hai..

chill karo tum sab... banata hun mai..


chicken aur salad dono ke pots ko barbeque electric-charcoal grill ke paas table par rakhte hue kahi thi maine ye baat..

pehle se hi garden me planted is barbeque electric charcoal grill ki khaasiyat ye thi ki isme chicken ya koi bhi barbeque karne waali dish electrical aur charcoal heat, dono par hi banayi jaa sakti thi..

grill ke just aage jo table bana hua tha usme vegetable aur baaki chizon ki cutting wagairah araam se ho sakti thi...

dono pots wahan rakhne ke baad salad waale pot ko kheencha maine apni taraf aur saath hi rakhi knife utha li..

par is beech jahan ek taraf mere baaki dost jinke liye ye sab purana tha,woh apne gossip me lag gaye wahin dusri taraf KHANAK aur RASHI pahunche mere paas aur marinated chicken ke pot ke dhakkan ko hata usse dekhne lage...

har medium piece chicken ke centre par sateek cheere lage hue the aur is waqt bina pake hone ke baawjud bhi unme se ek bohot achi aur rare khushbu nikal kar bahar aa rahi thi jisse saaf smell kar paa rahe the woh dono aur isiliye..


KHANAK-kaafi different smell aa rahi hai is marinated chicken se,haina...!!!

RASHI-yaa...marinated chicken se pehle kabhi itna strong assence feel nahi kiya hai maine..

hey SANVY,wow....


apni baat bolte bolte hi RASHI aur uske saath jab KHANAK ki nazar mujhpar gayi toh nikli ye taarif RASHI ke mooh se...

REASON...

kisi professional chef ki taraf badi tezi aur safayi se onions ko patle gol akaar dete hue kaat raha tha mai...

aur dekhte hi dekhte 2 minute ke andar hi 6 onions ko bilkul ek se size me kaat daale the maine..


RASHI-brilliant yaar SANVY.. in future,you can be a great chef...

MAI-hahaha.. cooking sirf shouk hai yaar,isse shouk hi rehne do...MAA ke liye, khudke liye aur friend's ke liye kabhi kabhi cook karna acha lagta hai, that's it...

KHANAK-haan aur un ladko se girl's bhi kaafi impress hoti hain jo cooking achi kar lete hain, right...!!!

RASHI-ye toh hai..toh bataiye MR SANVY,ab tak kitni ladkiyon ko flat kar chuke hain aap apne cooking skills se...


ek halka sa taana tha KHANAK ki baat me jispar mere kuch bolne ae pehle RASHI ne us sawal ko thoda aur specific kar diya tha..


MAI-sirf ek...par woh ek bhi aisi hai jaisi naa is duniya me koi hai aur naa kabhi hogi...

KHANAK-kaun hai woh...???


turant pucha tha ye sawal KHANAK ne jispar muskurate hue..


MAI-meri MAA...the most beautiful women to walk on this planet...

mujhse zyada woh sirf tabhi kuch khaati hain jab woh kuch maine banaya hota hai...

aur wahi mera best reward bhi hota hai..


mere jawab ko sun smile naach uthi thi KHANAK aur RASHI ke faces par jiske baad...


KHANAK-bohot close ho naa tum aur tumhari mom..

MAI-close...!!!hum dono toh ek hi hain...mere liye unka dil dhadakta hai,unke liye meri saansein chalti hain..

RASHI-thats the best thing i have ever heard about a mom son relationship SANVY...


RASHI ki baat par mai bas muskura bhar diya jiske baad..


KHANAK-wow...itne se waqt me pura salad kaat bhi liya tumne...

onion ke baad,kheera,gaajar aur muli bhi kaat chuka tha mai...

nimbu ke bhi 6 slices uske hard parath se alag kar plate me rakh diye the maine..

badi size ki 6 hari mirch pieces bhi laaya tha mai jinhe beech se cheera maar diya tha maine..

MAI-yup....SONU...

SONU-hhaan...

MAI-bhaiya,ye chicken pieces ko skewers me daal dijiye..aur grill bhi on kar dijiye..

woh STTENDENT jokihum sabke paas hi khada tha,meri baat sun turant aage aaya aur chicken pot utha grill ki taraf badh gaya..


is beech SONU bhi aa chuka tha mere paas aaya jiske baad...


MAI-chaar nimbu bas..do rehne diyo...

SONU-gun powder...!!

MAI-abbe woh kya side me rakha hai...

RASHI-gun powder...!!!

SONU-hahaha..yye,isse bbolte hhain ggun ppowder..


ek choti si pudiya jo SONU ke hi paas table ke left side rakhi thi,usse kholte hue bola usne..

wahin jaise hi woh pudiya khuli,uske andar ki tez mehek turant hawa me faile gayi jisse smell kar..


RASHI-arre,yahi toh hai woh alag smell jo chicken se aa rahi thi..raw thodi alag hai aur kaafi strong bhi..

SONU-hhaan,sstrong bbhi hai aur aisse hhi cchakh llo ttoh mmirchi se ttez jjeebh jjalati hhai yye jeebh...


RASHI-par naam itna weird kyun..???gun powder...!!!

MAI-bohot se naam hai iske...garibparwar bhi bolte hain isse,milagpodi bhi ek naam hai iska.

karnataka me idli ki khaas chutney me daala jaata hai ye isiliye isse idli podi ki pehchaan se jaante hain wahan...chamanpoddi..thats also a name....

gunpowder.iska ye naamkaran angrezo ne kiya tha...

KHANAK-aur tum sabko bhi bas yahi naam bhaaya...kyun..!!!

SONU-arre ccool llagta hhai yye nnaam...


ab tak neembu pure nichod chuka tha SONU aur uske upar gunpowder bhi acche se chhidak chuka tha woh..

jiske baad baari thi saare salad ko mix karne ki isiliye paas hi rakhe poly gloves pehenane ke liye uthane laga woh..


KHANAK-laao,ye mai kar deti hun...

MAI-aap rehne dijiye madam...waise bhi pair me moch aayi hai aapke...zyada movement se pain aur strain dono badh jaayega.


lunch ke baad slides me masti karte waqt KHANAK ke pair ki right edi twist ho gayi thi..

SAM lekar gaya tha usse RESORT ke medical room..

tabse ab tak sabne uske moch ke baare me puch liya tha siway mere isiliye itni der se meri har baat par ek taana diya tha usne mujhe..

anyways,kuch hi der me grill ke andar dehekta koyla ekdum sahi temperature me heat paas kar raha tha aur saath hi saath us second attendent ne saare chicken pieces ko skewers me pierce bhi kar diya tha..

isiliye grill ke saamne baith ek ek kar kul 6 skewers ko uspar chadha diya tha maine..

medium aanch par pakna tha chicken jisme thoda time toh lagna hi tha isiliye kulle tika araam se baith chuka tha mai..

wahin SAM jo DEEPESH ke baad ek beautiful romantic track ko guitar me play kar raha tha,uska gaana khatm ho chuka tha jiske baad usne guitar ek baar phirse DEEPESH ko pakda diya tha..


DEEPESH-SANVY,why don't you play something...!!!

ANJALI-ye aur guitar..manjira na baje isse theek se...

MAI-ye baat toh sahi hai...manjira bajane ka sahi technique sirf ANJALI ko maalum hai...

moholle moholle ghum ghum kar manjira bajane ka saalon ka experience hai iska...

ANJALI-SANVY..agar ek bhi bakwas ki naa toh mooh tod dungi tera..

MAI-haan aur mere haath me dahi jama hai..nai... aur tere kaano ko bas meri baatein hi sunayi deti hai kya..??

khudka kochakna block kar deta hai kya tera kaan...

SAB-aree chup ho jaao yaar...kabhi toh ek dusre ko pinch karna band karo...


jahan sabki baat par ANJALI ka mooh ban gaya,mai wapas ghoom skewers paltane laga wahin jo ANJALI ne mere baare me kaha tha,usse sun khudse...


DEEPESH-ye SANVY toh pura looser hai..slides me bhi fattu ban raha tha,play zone me bhi har game haara isne aur yahan bhi wahi haal...

bas bawarchigiri aur mooh chodi karni aati hai isse...

aur aise chutiye se guard rakhne ko bol raha tha mujhe NAMITH..saale ka dimag hi kharab ho gaya hai...

aur ye sab idiots yahan enjoy kar rahe hain..in sabko toh andaza hi nahi ki kal in sabki gaand chudne waali hai...

NITS-kaha kho gaya bhai...???suna kuch...!!!


apne aap se baat karte DEEPESH ko wapas present me laaya NITS jiske baad muskurate hue"paani da rang vekh ke" song play kar gaane laga woh...


AHAHAHAHAHAHA...WAAH..MAZA AA GAYA YAAR... LADKI HOTA TOH CHUM LETA BHAI TUJHE...


kuch der baad jab chicken pura bhun gaya toh ek tukde ko mooh me daal uska pura swad lete hue kahi thi ye baat NITS ne..

barbeque ready hone ke baad as thought hamesha ki tarah sabse pehla bite issi ne liya tha..

par NITS ke baad baaki sabne bhi chicken ka ek ek bite liya aur aisi hi kuch taarif un sabke mooh se bhi nikli thi..


RASHI-wakayi yaar..mooh me daalte hi piece jaise ghul sa jaa raha hai..mirch,namak aur sabhi spices jaise khud bata rahe hain ki kaun si chiz kitni daali hai..isse toh sach me jitna khaa lo kam hai...

brilliant yaar SANVY...

KHANAK-hmm...


RASHI ki baat par mai muskura bhar diya par tabhi rice jiske upar hi daal fry dala hua tha aur ek side me barbequed chicken ke kuch pieces the,ek plate mere aage ki KHANAK ne jispar usse aankhon hi aankhon me thanks bol le liya maine..

asal me dinner ka waqt bhi ho chala tha isiliye pura dinner yahin mangwa liya tha humne...


RASHI-teri mom ka call hai KHANAK...

KHANAK-rehne de...dinner ke baad laga lungi...

SAM-aunty ka call tere phone par...???

KHANAK-arre yaar,aaj morning floor par gir gaya tha mobile mera... screen pura damage ho gaya hai isiliye ghar par hi chhod diya maine usse...

RASHI-isiliye abhi mai iski,what does DUBEY SIR say,haan, sutradhar ban gayi hun...

NITS-dont you dare RASHI...only the mr the DUBEY can the talk like this...


"ZINDAGI NAA MILEGI DOBARA"movie ka dialogue chipkaya NITS ne jisme coincidentally subject of the line DUBEY SIR hi the...

isiliye sabhi has diye the uski baat sun....

anyways,yunhi chitchat aur mazak ke beech kab hamara dinner khatm ho gaya,pata hi nahi chala...


RASHI-SANVY,khaate waqt baat nahi karte naa tum...??

MAI-naa.. lip sink karta hun..

RASHI-matlab...

MAI-mooh chalta hai par awaaz nahi nikalti..

RASHI-hahaha..very funny...

aur tum bhi nahi,haina ANJALI...???

ANJALI-yup...

RASHI-chalo,in dono tom and jerry me kuch toh ek sa nikla...

ANJALI-now who's being funny...!!!

RASHI-me...

KHANAK-SANVY....!!!dara diya tumne...


apna dinner karne ke turant baad sabse thoda door jaa RASHI ke mobile se apni mom ko call kar unse baat karne lagi thi KHANAK aur uske phone rakhte hi jab woh palti toh ekdum se mujhe apne kareeb paa halka ghabra si gayi thi woh...


MAI-toh kya keh rahi thi aunty...thande paani se mooh dhokar sona... bure sapne nahi aayenge...!!!

KHANAK-bure sapne tab aayenge jab tum aane lage unme..

and you are not allowed in my dreams mr...

MAI-permission lekar naa sapne aate hain aur naa SANVY...aur rok tum hum dono ko hi nahi sakti...

KHANAK-aur agar rok lun toh..

MAI-sapne ke chakkar me neend bhi gayab ho jaayegi...aur khuli aankhon ke aage toh hum hain hi..

faayda kya hua phir...

KHANAK-neeji chizon me faayda nuksaan nahi dekhti mai...

MAI-dekhna bhi nahi chahiye...waise bhi kareeb ki chizon ko,logon ko sirf mehsoos kiya jaata hai..


KHANAK ke thoda aur paas aate hue kahi thi apni aakhri baat maine jispar saansein chadh gayi thi uski..


SAM-arre wahan kya kar rahe ho guyzzz..??come here,we are gonna play a game...


hum dono ke piche se aayi SAM ke is sudden pukaar ne jaise KHANAK ki thami hui saanson ko ek jump start de diya tha..

chehre par sharam ki laali liye woh turant mere baaju se hote hue group ki taraf badh gayi...


"khamoshi baat kar rahi thi ae dost,ye beech me tu kyun KEH GAYA...

tufaan bulaya tha, kambakht aate aate REH GAYA"....


khudse hi ki thi ye shayri maine jiske baad mai sabki taraf badh gaya..


MAI-toh bataiye bandhuwar..raatri bhoj ke pashchat apne khule hue gyan chakshayuon se kaun sa durlabh khel socha hai aapne..


KHANAK ke baad mai bhi pahuncha sab ke paas jahan is waqt sabhi self gender mode ke according aamne saamne baithe the...

ek taraf girls,aur unke saamne hum,boys...

wahin baiththe hue jo maine kaha,usse sun haste hue apne sir ko shake kiya SAM ne jiske baad...


SAM-FIRST BLINK...

MAI-with out without candle...!!!

SAM-abbe bina candle ke kya maza aayega...

RASHI-candle matlab...!!

KHANAK-first blink ka toh idea hai hume..do log aamne saamne baithenge aur ek dusre se eye staring karenge.. jisne pehle aankh jhapkayi, woh haar gaya...

SAM-yup,par normally ek dusre ki aankhon me dekhna, it's quite boring aur extra time bhi waste hota hai..

RAJAT-isiliye candles...ek two ways glass bowl ke beech candle jalaya jaata hai aur usse dono participants ke beech rakha jaata tha...

glasses ke andar hone ki wajah se candle ka dhuan moti layer ke through bahar aata hai aur sidhe dono ke faces par padta hai..

aankhon me irritation hone lagti hai aur isiliye palke jaldi jhapakti hain...

RASHI-wow yaar.. that's really interesting...

NAISHA-arre bada maza aata hai yaar...

SAM-par is baar thoda aur twist karenge game ko..kyunki girls sirf 4 hain aur boys 7 isiliye..

DEEPESH-guys mujhe count mat karo..

EKPREET-kyun.. khel na yaar,maza aayega...

DEEPESH-i know buddy par kya hai naa,maine lenses pehne hain aur dhuen se waise hi elergy hai mujhe isiliye sorry par participate nahi kar paaunga mai...

SAM-koi baat nahi yaar.. so equation abhi bhi odd hi hai..girls boys ka ratio alag hai isiliye i am thinking ki kyun naa hum sab ek circle banaye aur chaar candle bowls hum sabke beech me rakhe...

isse dhuen ka impact badh jaayega..total 10 log hain hum toh aakhir me jo do log jinki aankhein blink nahi hui hongi,they will be the winner...

RASHI-aur baaki pure 8 loosers..

SAM-nahi..jin do logon ki aankhein sabse pehle blink hongi,sirf woh honge loosers..

baaki 6 neutrals ho jaayenge..

and finally,woh dono winners un dono loosers se kuch bhi puch sakte hain,jinka un dono ko completely honest hokar jawab dena hoga...no lies...

NAISHA-kitne sawal...

SAM-woh winners decide karenge...

SAB-cool.. let's start then..


SAM jisne candle bowls ke liye pehle hi us dusre attendent ko bol diya tha,usse ishara kiya usne..

attendent bhi chaaron bowls ko ek tray me liye ready hi khada tha isiliye SAM ke ishara karte hi turant aaya woh hamare paas aur tray hume pakda wapas chala gaya..

filhal lit nahi the candles..un chaaron candles ko baari baari se jalaya SAM aur NITS ne aur un sabko ek dusre ke saath chipkate hue saath rakh diya..


SAM-ok guyzz..gather around..ek dusre se sat kar baithna hai hume...


jaisa SAM ne kaha,hum sabne kiya..ek dusre se lagkar baith chuke the hum sab jiske baad..


SAM-jisko aankhein blink karni hai,karlo abhi.. go bolte hi game on hai that means no blinking or else you are out...

bhai DEEPESH,dhyan dena zara.. koi blink kare toh turant naam le lena uska..

DEEPESH-sure man..

SAM-ready,steady,GO......


game shuru ho chuka tha jisse just pehle sabhi ne normally 2,3 ghanton me jitni blinking karte hain,utni ek baar me hi kar li thi..

par kaam zyada aayi nahi woh extra blinking kyunki chaar chaar candle bowl joki ek saath rakhe hue the,unse dhuan bhi ek merged flow ke saath kaafi maatra me bahar nikalne laga tha ..

aur jaise hi woh saara dhuan hum sabki aankhon me pada, aankhein jalne lagi hum sabki aur..

AHHHHH..SHIT....


ye ANJALI thi jisne sabse pehle apni aankhein blink ki thi jisse kuch hi seconds me follow kiya KHANAK ne..

1 minute ke andar hi ANJALI aur KHANAK ban chuke the is eye blink ke dono loosers...

anyways, loosers ke baad ab baari thi winners banane ke doud ki jiska safar bhi jald hi apne mukaam ke kareeb pahunchne laga tha..

KHANAK ke turant baad SONU ne,uske baad EKPREET phir RAJAT and then RASHI, NITS ne bhi apni apni eyes blink kar li thi..

7 log out ho chuke the aur bache the final three..SAM,NAISHA aur MAI...


ANJALI-common babes, you can do it...


ANJALI ki hi tarah RASHI aur KHANAK bhi NAISHA ko confidence dene lage the aur boys mere aur SAM, dono ke liye hi cheer kar rahe the par tabhi dhuen aur puri aankhon me bhar chuke aansu ko ek saath naa jhel paane ki wajah se SAM ne apni eye blink kar di..


ANJALI-yes...NAISHA,final two me hai tu...par don't feel content..is SANVY ko bhi harana hai tujhe...


ANJALI ki baat puri hui thi ki tabhi maine apni eye blink kar si thi jisse dekh...


ANJALI-yes...babes,jeet gayi tu..haar gaya ye looser...


khushi se khade hote hue NAISHA ke piche pahunch usse hug kar liya tha ANJALI ne aur is beech mujhe jeebh nikaalkar chidha bhi rahi thi woh..

baaki sab bhi NAISHA ko congrats kar rahe the par in sabke beech KHANAK mujhe hairangi se dekh rahi thi...

REASON..

usne saaf dekha tha ki bhale hi dhuen ki wajah se meri aankhen bhi bhar gayi thi par face mera pura calm tha jabki NAISHA ke face par taklif saaf dekhi jaa sakti thi..

woh apni palke jhapkane hi waali thi par maine pehle aankhein blink kar di aur woh bhi aise jaise khud hi give up kar diya ho maine...


NITS-toh bhai SANVY aur NAISHA ne jeeta hai ye blink competition aur ANJALI & KHANAK,aap dono loosers bane hain..

aur ab condition ke according SANVY aur NAISHA tum dono se sawal karenge jinka jawab tumhe sach me hi dena hoga...

ANJALI-mai is SANVY ke kisi sawal ka jawab nahi dungi...

RAJAT-arre ye kya baat hui..!!agar SANVY ne sawal kiya toh jawab tumhe dena hi hoga..

MAI-its ok..mai apna sawal KHANAK se puchunga...

NAISHA-aur ANJALI se mai...


ek shararati muskaan ke saath kahi thi ye baat NAISHA ne jisse dekh halki hadbada gayi ANJALI aur..


ANJALI-nahi nahi.. mujhse sawal SANVY karega...

NITS-oye paltu..bohot hua tera..NAISHA, sawal tu hi karegi is ANJALI se aur SANVY,tu iske baad puchiyo KHANAK se..

NAISHA-hmm.ok,so here's the deal..ANJALI,mai tujhse sirf ek sawal puchungi...


par jawab tujhe kisi sentence me nahi balki ek word me dena hai.. sirf ek word...par woh word made up ya jhuth nahi hona chahiye.. tujhe apni friendship ki kasam..

ANJALI-arre aise kaise...???


kasam waali baat par phir hadbada gayi thi ANJALI par kandhe uchka diye NAISHA ne jispar kuch seconds usse ghurti rahi woh lekin phir..


ANJALI-fine..puch jo puchna hai..

NAISHA-agar SANVY se tujhe abhi kuch bolna ho toh kya bolegi..

but sentence me nahi,as i said,just one word..

EKPREET-abbe ye kya puch liya tune..!!!

NITS-guess karo be sab,ek word me sabse sahi gaali kaun si hogi...!!!

RAJAT-gaali toh bohot si hai but gandi toh degi nahi ye..kuch sophisticated type hi bolegi...

NAISHA-shut up guyzzz.. you are on ANJALI...


ek baar phirse NAISHA ko dekh apni aankhein band ki ANJALI ne aur...


ANJALI-THANKS.....


ab tak smile kar raha tha mai par ANJALI ke jawab ko sun face halka gambhir hua mera par phir normal ho gaya.

par dusri taraf ANJALI ke mooh se THANKS shabd woh bhi mere liye hazam hi nahi hua kisiko..

NITS toh apne dono kaano me ungli daal saaf karne laga aur..


NITS-kya bola tune abhi... THANKS...aur woh bhi SANVY ko..bhaang toh nahi mila tha khaane me..

SAM-true yaar..babes,are you alright...

NAISHA-shut up guyzz..sawal sirf mai puch sakti thi ANJALI se jo maine puch liya aur usne imaandari se jawab de bhi diya...

so,that's it...SANVY, KHANAK,ab tumhari baari...

dhyan baaton ka rookh hamari taraf mod diya tha NAISHA ne...


KHANAK-easy puchna,please...


halka nervous hote hue kahi thi ye baat mujhe KHANAK ne jispar mukuraya mai aur...


MAI-lets make it interesting...

sawal ek nahi thode zyada puchunga mai but simple honge woh sab par saath me deep bhi..

agar subject genuine lage toh jawab sirf ek shabd me par puri imaandari se dena..

kar paaogi itna...waise ye challenge bhi hai aur request bhi...


mere sawal aur tark par kuch seconds dekhti rahi mujhe KHANAK jiske baad ek lambi saans chhod haan me halka sa sir hila diya usne....


MAI-

agar dhadkano me bas gaya KOI toh dil tumhara USSE kya de SAKEGA...??

KHANAK-DIWAANGI....

jazbaat agar kaabu se bahar ho toh dimaag usse kis chiz se DHAKEGA...??

KHANAK-BANDAGI....

ek ehsaas agar pure wajood ko dhak le toh dekhne waala usse kya KAHEGA...??

KHANAK-TISHNAGI....

jo kabhi ho gayi mohobbat tumhe toh daav par tumhara ishq USKE liye kya RAKHEGA...??

KHANAK-ZINDAGI.....











AAJ KE LIYE ITNA HI.....










AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NAISHA KE SAWAL KE JAWAB ME SANVY KO SORRY BOL ANJALI SABKO CHOWNKA DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF SANVY KE HAR SAWAL KA JAWAB KHANAK BADE KHUBSOORAT SHABDON KE SAATH DETI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-20

PART-1


THE MAX FUN RESORT...
(A CHANDER'S PARADISE)





OH SHIT....!!!!


neend tutathe hi jab apne paas pade mobile par nazar padi DEEPESH ne toh hadbadate hue uth baitha woh..

REASON...

abhi morning ke 9 baj rahe the aur plan ke according usse RESORT se ab tak check out kar lena chahiya tha..


DEEPESH-saala in chutiye SIRIUS waalon ke chakkar me 2 baj gaye raat ko sote sote...

alarm bhi sunayi nahi diya....

NAMITH ko call karte hue jiska early morning hi ek miss call aa chuka tha,ye sab baatein budbuda raha tha DEEPESH..

par jab full ring ke baad bhi call nahi uthaya NAMITH toh..


DEEPESH-ab ye kahan mara raha hai..chhod yaar...apna toh sab kaam kar hi diya hai maine..

time to leave this shit place...


turant bed se nikal washroom ki taraf jaate hue kahi ye baat DEEPESH ne jiske 15 minute baad hi woh ready tha resort se nikalne ke liye...

apne liye laaye ek maatra travel bag pack ko dono kandhon me latka room se checkout kar reception ki taraf badh chuka tha DEEPESH..


DEEPESH-double check kar liya jaaye ek baar...


gallery se hokar aage badhte DEEPESH ki nazar jab opposite direction me bane saare cottages par gayi toh khudse ye bol woh cottages ki taraf badh chuka tha...


DEEPESH-fantastic..so lo guys,so lo..waise bhi chain ki aakhri neend hai ye...

aankh khulne ke baad toh waise bhi hamesha ka sukoon chale hi jaana hai...

SIRIUS waalon ke equipped 5on rooms ab tak andar se locked the aur iska kaaran bhi DEEPESH hi tha...

kal dinner aur FIRST BLINK game ke khelne ke kuch der baad soft drinks pee thi sabne jisse glasses me daal serve khud DEEPESH ne kiya tha...

par un drinks me EMAZEPAM naam ki sleeping pill bhi thi jo chupke se daal di thi unme DEEPESH ne aur yahi wajah thi ki sabhi SIRIUS waale ab tak so rahe the...

aur DEEPESH aur NAMITH ke plan ke according aisa hona zaroori tha taaki SIRIUS waalon ko khudko bachane ka mouka aur waqt bilkul naa mile...

anyways, cottages check karne ke baad ek baar phir se reception ki taraf badhte hue call kiya DEEPESH ne NAMITH ko par jab is baar bhi call nahi uthaya usne toh..


"MAI CHECKOUT KAR RAHA HUN... SIRIUS WAALE AB BHI SO RAHE HAIN...BAG MAINE KAL SHAAM HI SAM KE COTTAGE ME IMPLANT KAR DIYA THA..

AUR APNE CHAARON BANDE D WING ROOM NO 124 ME PADE HUE HAIN, COMPLETELY OUT...INQUIRY ME DONO SIRIUS WAALON KO HI BLAME KARENGE"...

MESSAGE PADHTE HI CALL KARIYO...


saari detailing text me likhte hue bhej di NAMITH ko DEEPESH ne..

ab tak reception par bhi pahunch chuka tha woh jiske baad apna account settle kar woh resort se checkout kar gaya...



AFTER AN HOUR:-




UFFF....MY HEAD....


apna sir pakad uththe hue ANJALI ne kahi thi ye baat jispar...


NAISHA-tera bhi sir dukh raha hai..mera bhi yaar...aisa lag raha hai jaise fever chadha hua ho....

ANJALI-coffe mangwa de yaar...

NAISHA-apne liye toh already mangwa chuki hun...tere liye bhi bol deti hun...


HUM DONO ke liye bhi bol de...

uthne ke baad cottage entrance door open kar usse khulla hi chhod diya tha NAISHA ne jisse KHANAK ke saath enter karte hue kahi thi ye baat RASHI ne..


NAISHA-tum dono ka bhi sir dukh raha hai...!!!strange...


KHANAK aur RASHI bhi apne ek ek haath se apna sir daba si rahi thi jisse dekh kahi ye baat NAISHA ne...

darasal night pills kabhi li nahi thi chaaron ne isiliye headache ka side effect jhelna pad raha tha un sabko..


KHANAK-neend toh puri hui hai phir pata nahi sir kyun dard kar raha hai...!!!

ANJALI-true..boyz kahan hain...pool me hain kya...???

RASHI-pata nahi..maine toh jab apna door khola toh tera door bhi khula paaya isiliye KHANAK ke saath sidhe idhar aa gayi...


ANJALI aur RASHI ke baaton ke douran NAISHA ne wahan moujud sabhi ke liye coffee order kar di thi jo kuch hi minutes me aa bhi gayi..


KHANAK-haash...ab kuch theek laga...


coffee joki NAISHA ke kahe according hard bani thi,uski chand chuskiyan lene ke baad kuch behetar mehsoos karne lagi thi KHANAK..

baaki teeno girls bhi thoda fresh feel karne lagi thi..


ANJALI-shower lene ke baad i hope pura sahi lag jaaye nahi toh holiday ka ye aakhri din kharab ho jaana hai...


NAISHA-shower lene se acha hai let's hit the pool...uske baad shower toh waise bhi leni hoti hai.. what say...!!!

RASHI-lets do it...

ANJALI-alright then..fresh ho jaate hain pehle..

let's meet up in thirty...!!!!

KHANAK-cool...


din ki shuruat ka plan set kar jahan ek taraf ANJALI bathroom me ghus chuki thi wahin dusri taraf RASHI aur KHANAK bhi apne room me fresh hone jaa chuke the is baat se anjaan ki aaj ke un sabke din ki planning pehle hi set kar DEEPESH resort se checkout bhi kar chuka tha..



AFTER 30 MINUTES:-



CATCH IT....!!!!


badi tezi se feka tha FRIZBIE ko EKPREET ne SAM ki taraf jisse khudko pura strech karte hue catch kiya usne...

sabhi ladke excluding SANVY is waqt pool me hi the aur FRIZBIE grab game ka maza utha rahe the..


ANJALI-tum sab yahan ho toh hume kyun nahi bulaya...???


baaki teeno girls ke saath pool par pahunchi ANJALI ne apne kamar par haath rakh sabko ghusse se ghurte hue ye baat kahi thi..


SAM-arre babes abhi 10 minute hi hue honge hum sabko pool me aaye hun..

aur after waking up, aaya tha mai tumhare room..knock kiya but naa tumne response diya aur naahi NAISHA ne..

RAJAT-same goes for KHANAK and RASHI..tum dono ko bhi bohot awaaz di humne,par you didn't open..

par hum samajh gaye the ki kal din bhar ki activities ke baad aur late night sone ki wajah se kaafi thake hoge tum chaaron isiliye zyada try nahi kiya humne..

kaafi time game zone me the hum aur phir idhar aa gaye...

RASHI-guyz,kya uthne ke baad tum sab ke bhi sir me pain tha...

NITS-nahi toh,kyun...???

ANJALI-arre in sabko aadat hai..

late night parties karne ke baad bhi morning drill ke liye jaldi uth jaate hain..

isiliye uthne sone ke schedule bigadne ka bhi asar nahi hota in sabko...

SAM-par ye sawal hi kyun..???kya tum sabka sir pain ho raha hai..!!!

ANJALI-haan, thoda bohot..uthne ke baad bohot zyada tha but abhi thoda kam hai...

KHANAK-isiliye toh pool aaye hain taaki baaki dizziness bhi khatm hi jaaye...

EKPREET-then what are you all waiting for..jump sweethearts....


EKPREET ki baat par halka haste hue chaaron girls turant pool me kood gaye..

kal ki wajah se aaj KHANAK ka bhi paani me jaane se man nahi ghabraya tha..


SAM-so,hum sab bande deep jaate hain, tum chaaron shallow parts me hi thoda gap banakar khade ho jaao...

let's catch some frizbie.....

ye bol SAM aur uske saath sabhi bande swim karte hue pool ke deep part me chale gaye jiske baad..


SAM-ready..

KHANAK-wait..ye SANVY kahan hai...!!!

NITS-arre woh ledra so raha hai..

KHANAK-abhi tak...

SONU-hhaan..wwoh gghar mme aunty ddaily jjaldi uttha ddeti hhai nna usko isiliye abbhi mmouka mmila hhai ssone kka ttoh pura kkumbkaran bban ggaya hhai wwoh..

RASHI-arre aise kaise..!!?chalo uthaate hain usse...

NITS-soch bhi mat..maine ki thi zabardasti usse uthane ki koshish toh kamine ne bhayanak zor ki laath maari..

galti se tujhe bhi maar diya toh abhi khatm ho jaana hai holiday tera...

sone de usse,thodi der baad khud hi uth ke aa jaayega woh...

ANJALI-arre uski zaroorat hi kyun hai..!!let him be..

KHANAK-kyun,aaj thanks nahi bolna kya tujhe usse..


KHANAK ki baat par ANJALI ne koi reaction hi nahi diya jisse dekh..


RASHI-kal raat se 10 baar puch chuke hain hum ki kyun bola tha thanks tune SANVY ko par madam har baar bas expression less face banakar khadi ho jaati hain..

NAISHA-hahahaha.. isiliye hi thanks bola tha isne..

KHANAK-matlab...!!

NAISHA-taaki tum sabka dimaag ghume aur us thanks ka reason joki kuch tha hi nahi,jaanane ke liye irritate hote raho sab..

RASHI-kitni kamini hai tu ANJALI..


muskura diya RASHI ke is irritated tone me kahi baat ko sun ANJALI ne..


SAM-catch it...


SAM ki is achanak aayi us tez awaaz ne chaaron girls ka dhyan apni taraf ya phir ye kahun ki frizbie grab game ki taraf wapas laa diya tha..

KHANAK ki taraf feka tha SAM ne frizbie jisse catch karne ke chakkar me..

CHAPPAKKKK..

pura paani me doob hi gayi woh jiske baad turant paani se nikal lambi lambi saans lete hue idhar udhar dekhne lagi KHANAK...

frizbie NAISHA ne pakad liya tha aur is waqt teeno hi girls KHANAK ko jiska pura face uske baaalon se dhak sa gaya tha,usse dekh has rahe the..

anyways,ek taraf KHANAK ne khudko durust kiya aur dusri taraf NAISHA ne frizbie RAJAT ke taraf fekh diya jisse unlike KHANAK,kaafi ache se catch kar liya tha RAJAT ne...

RAJAT ne paas on kiya frizbie RASHI ko aur RASHI ne bhi catch na pakad paani se frizbie collect kar usse pheka EKPREET ki taraf..

is tarah se in sabka ye game shuru toh ho gaya par jab kuch der baad bhi girls ek baar frizbie ko catch nahi kar paaye toh woh irritated ho gaye..

aur woh irritation aur badha boys ke unpar hasne aur mazak udaane se..

yahi wajah thi ki jab agli baar NITS ne frizbie ANJALI ki taraf feki aur woh ek baar phirse usse catch karne me unsuccessful rahi toh jhunjhlate hue usne us frizbie ko boys ki taraf fekne ki jagah pool ke bahar hi ucchal diya..

ye dekh boys kuch kehte par tabhi....


DEKH RAHE HO BASANT BABU AMEERO KE THAATH...KITNE HI KAAND KAR LO AUR KHULE SAAND KI TARAH MAST RAHO...


hawa me tairti hui si us frizbie ko catch kar pool ke taraf hi aata hua ek middle age banda,jiske saaf rang ke ausat chehre par zamane bhar ka ghaagh dikh raha tha aur jisne abhi pehni thi ek half sleeve polo aur grey trousers,kahi thi ye baat apne saath chalte constable se jispar woh constable jiska naam BASANT bola tha us bande ne,woh aur uske piche chal rahe aur chaar constables has pade the...

wahin apni taraf aate hue us aadmi aur police ki choti si tukdi ko dekh SAM and party bhi pool stair ki taraf badh chuke the..

itna toh woh sab bhi samajh chuke the ki un constable ke saath aane waala aadmi bhi police officer hi hai...


UNKNOWN-aayiye aaiye desh ki yuva pidhi,khade ho jaaiye line se mere saamne...

mai bhi toh dekhun ki rahisi ki chamdi ke andar ka ganda khoon paas se kaisa dikhta hai...

SAM-tamiz se baat kijiye SIR...aur bina permission mere resort me ghuse kaise aap sab...???


us aadmi ki baat sun bhadak utha tha SAM..SAM hi kya,sabhi boys aur girls ghusse se ghoor rahe the us aadmi ko jispar halka sa hasa woh aur...


UNKNOWN-mera resort...!!!hmm, matlab tu hai SMRITI CHANDER ka lounda,hain...!!!

SAM-dobara bol raha hun sir,tameez se baat kijiye...

inke saath hain aap matlab police officer hi hain..

par sirf ek phone lagega mujhe aapki is vardi ko utarwane me...

INSPECTOR-beta tamiz ka sahi matlab batata hun tujhe thodi der me...

aur ladke,vardi utarwane ki dhamki mujhe mat de tu..

INSPECTOR RAJESH MISHRA... naam yaad rakhiyo mera..

(INFO:-RAJESH MISHRA.INSPECTOR FROM THE PROLOUGLE UPDATE...ISSI NE SANVY KO JUVILINE ME KAID KARKE MAARA THA...EK NUMBER KA GHAAGH, RISHWATKHOR, HARAMKHOR BUT MOST IMPORTANTLY, EGOISTIC BANDA..APNE AAGE KISIKO KUCH NAHI SAMAJHTA YE... APNI VARDI KA GAIR KAANUNI FAAYDA UTHANA SHOUK HAI ISKA..6 MAHINE PEHLE HI YAHAN DEHRADUN TRANSFER HUA HAI ISKA...JAISA KI AKSAR HOTA HAI,HAR BADI ORGANIZATION SE HAFTA AATA HAI ISKE POLICE STATION SIWAY SMRITI CHANDER KE AUR UNKE HIGH INFLUENCE KE KAARAN RAJESH KUCH KAR BHI NAHI PAA RAHA HAI..YEH BHI EK REASON HAI ISKE YAHAN HONE KA AUR SAM SE ROUGHLY BAAT KARNE KA)


BACK TO THE SCENE:-



RAJESH-ache achon ki akad nikaal di hai maine,par mujhe naa nikaal paaya koi..

aur tu toh abhi thik tarah ande se bhi nahi nikla..par ab theek se niklega bhi nahi..

anda fodne jo aa gaya hun mai..jao re,check karo pura RESORT...

dhundo un loundo ko..floor manager ko pakdo aur khulwao rooms..

BASANT mere saath chal...gawah toh woh chaaron dhund hi lenge,hum jadh dhund lete hain...


EXCUSE ME...KYA HO RAHA HAI YAHAN PAR...???HEY OFFICER,KYA INVESTIGATE KAR RAHE HAIN AAP YAHAN AND MORE IMPORTANTLY,KIS BINAAH PAR..

KOI PERMISSION,SEARCH WARRENT HAI AAPKE PAAS...!!!

ye resort ka manager tha jo police ke aane ki khabar sun turant aaya tha yahan..

upar se chal rahe scene ki wajah se kaafi guest bhi jama ho chuke the yahan jo resort ke reputation ke liye bilkul bhi sahi nahi tha...

yahi wajah thi ki manager ke tone me frustration ke saath narazgi bhi thi jo mehsoos kar ghoora usse RAJESH ne aur..


RAJESH-tu kaun hai be...???

MANAGER-tamiz se baat karo officer.. manager hun mai is resort ka..

aur jaante bhi ho ye resort kiska hai...!!!! SMRITI CHANDER ka...wapas thaane pahunchne se pehle wardi utar jaayegi tumhari..

RAJESH-woh tab hoga jab yahan se khaali haath loutunga mai jo hoga nahi..

drug raid me aaya hun mai idhar aur ek baar drugs baramad ho jaayen,saath hi saath victims ki shinakth aur unki return complaint darj jo jaaye,toh thaane pahunchne ke baad meri wardi toh nahi niklegi par teri us owner SMRITI CHANDER ki izzat zaroor utar jaayegi...


SAM-mind your language INSPECTOR....


apni mom ka naam yun disrespectfully sun kaafi bhadak gaya tha SAM aur isiliye aage badh RAJESH ka collar pakadne ko hua woh par tabhi beech me uske haathon ko pakad liya RAJESH ne aur..


RAJESH-bohot garmi hai kyun...!!! evidence aur gawah mil jaayen,teri saari garmi nikal dunga..

kahan thehre ho tum sab...!!!

SAM-cottage me...start se paanch hamare hain..

chal re...


us BASANT constable ko liye apne saath COTTAGE area ki taraf chal pada RAJESH...

SAM and group, resort ka manager,sabhi uske piche ho liye the...

2nd cottage joki SANVY aur RAJAT ka tha,usme woh BASANT ghussa aur first joki SAM aur EKPREET ka tha,usme gaya RAJESH...


ANJALI-what the hell is happening here...???drugs aur humare paas...!!!!

KHANAK-yaar mom dad ko pata chala toh pata nahi kya hoga...!!!

SAM-chill babes..kuch nahi hoga.. what the hell..!!ye kyun call kar raha hai mujhe...???


KHANAK ko reply kiya hi tha SAM ne ki tabhi uska mobile jisse usne swim wear me hone ke kaaran haathon me pakda hua tha, vibrate hone laga..

par screen me jo naam flash ho raha tha,usse dekh chownka tha SAM..

reason...

ROHAN...

ROHAN ka call tha ye jo thodi der baad disconnect ho gaya par aisa hote hi phirse chownka tha SAM...

aur woh isiliye kyunki kul 10 missed call the uske phone me aur saare ROHAN ke hi the..

is baare me soch hi raha tha SAM ki tabhi mobile par phirse ROHAN ka call aane laga...


SAM-why the hell are you calling me ROHAN...


phone uthathe hi mudde ki baat ki SAM ne jispar..


ROHAN-SAM,dhyan se sun...police ki raid padne waali hai tere resort me...someone has implanted drugs there...

SAM-tujhe kaise maalum ROHAN...!!!are you..

ROHAN-trust me,mera koi lena dena nahi hai in sabme..

aur baaki baaton ka bhi time nahi hai abhi..police waalon ke aane se pehle yaa toh drugs dhund lo yaa phir nikal jaao resort se..

atleast tum sab safe ho jaaoge...

SAM-too late for that...!! police aa chuki hai...

ROHAN-what...!!!!SAM...


CALL DISCONNECTED....


aage suna nahi kuch SAM ne aur call kaat diya...

REASON..

ROHAN se baat karte hue bhi SAM sabke saath us RAJESH ke piche hi chal raha tha jo abhi ussike stay kiye cottage me ghussa tha...

aur specifically is waqt master bedroom me bane lambe chowde WARDROBE ke aakhri khaanche ko khol usme rakha ek kaala average size bag joki SAM ya EKPREET, dono ka hi nahi tha,usse nikaal khol chuka tha woh...


RAJESH-well,well,well....dekho kya mila hume...jannat bhejne ka samaan...

ECSTASY,FLAKKA,BATHSALTS...

youngsters ke beech sabse zyada use hone waale drugs... interesting...

bag aadhe se zyada bhara hua tha jiske upari bhaag ko checkout karte hue kahi ye baat us RAJESH ne jiske baad pura bag hi palath diya usne..

injections,syringe,snort holders...woh saare equipments jinse woh nashili chizen consume ki jaati thi,sab mixed up the us bag me lekin aakhein chamki RAJESH ki bag se nikle aakhri chiz ko dekh...

RAJESH-ohho.. toh real deal yahan hai...

HEROIN....nice...

HEROIN ki choti choti 2,3 pudiyon ko haath me liye SAM aur uske doston ko dekh kahi ye baat usne jisse dekh aur apna anjaam soch girls toh dar ke maare kaampne hi lagi thi...


RAJESH-kyun be...ab nahi chal rahi zaban teri...saale,meri vardi utarwayega tu...

tu dekh beta ab..tere aur tere in doston ka kya haal karta hun mai..

izzat aur chamdi, dono utaarunga tum sabki mai..

SIR,D WING,ROOM NUMBER 124 ME CHAAR LADKE BEHOSH MILE HAIN...

UNKE BEDS PAR SYRINGES AUR TABLE PAR DRUGS, CAPSULES KE ATIMANSH PADE HAIN...

RAJESH-matlab mili hui puri information sahi thi...

behenchodon,jawan loundon ko zabardasti laate ho yahan aur unhe drugs ka aadi banate ho...

itna hi hai ki brothel bhi khola hua hai idhar...randi baazi bhi karaate ho kya...!!

waise sample toh saamne hi hai...maanana padega,drugs ki tarah maal bhi tanatan rakhte ho...


girls jo pool se sidhe idhar hi aayi thi aur isiliye is waqt swimming costumes me hi thi, unhe upar se neeche tak ghurte hue kahi thi ye baat RAJESH ne jispar jahan ek taraf sabhi constables has diye,dusri taraf chaaron girls ki aankhein sharm aur ghrina se bhar neechi ho gayi wahin teesri taraf ab tak jo patience boys dikha rahe the,us sabr ka baandh toot gaya aur..


EKPREET-bhosdike.. apni behen se karwana dhandha...pehle customer hum hi honge...


ye bol tezi se aage badha EKPREET jispar badi tezi se harkat me aaya RAJESH aur apni jeans ki pichli taraf chuppa kar rakhe 9mm semi automatic service pistol ko turant nikaal EKPREET ke sir par tika diya usne..

pistol yun EKPREET ke sir par dekh kaafi dar gaye the baaki sabhi..

ghabraya toh thoda EKPREET bhi tha par RAJESH ne jo baatein kahi thi,unse chaddha ghussa thoda bhaari tha us dar par isiliye piche nahi hua woh aur ye dekh..


RAJESH-lounde garmi control me rakh warna yahin thok dunga tujhe..

RASHI-please step back EKPREET...or else he will shoot you...

dari sehmi RASHI ne EKPREET se piche hatne ki request ki jispar woh yaa koi aur kuch kehta ki tabhi...


RELAX RASHI...KUCH NAHI HOGA....


mai tha ye jiski awaaz bhar sun RASHI ka dar kam ho chuka tha..

wahin apni baat bol aage badha mai aur...




pehle se gili zameene aur paani ko itni asaani se SOKHTE NAHI...

aandhi chalti hai jab toh raaste se hath jaate hai log,tufaan ko aane se ROKTE NAHI...

bandhuk haath me hai par chalegi nahi goli tujhse kyunki,

jo THOKNE ka madda rakhte hain,woh itna BHONKTE NAHI...











AAJ KE LIYE ITNA HI.....









AAPKA APNA V...J...
 
expectations
22,446
14,679
143
sach kahun to aap logon ki khamosi dekhkar dil nai karta yahan update dun lekin ye sonch kar ki site nayi hai diye ja raha hun
Dil chota na karo sir ek din mere karan arjun aayegen :cry2: bahut achcha likhte ho aap jaise koi nai :hug:
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF POLICE KO SAM KE COTTAGE ME DRUGS MILTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF INSPECTOR RAJESH EKPREET PAR PISTOL TAAN DETA HAI PAR TABHI SANVY WAHAN PAHUNCH JAATA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-21

FINAL PART


THE MAX FUN RESORT...
(A CHANDER'S PARADISE)





pehle se gili zameene aur paani ko itni asaani se SOKHTE NAHI...

aandhi chalti hai jab toh raaste se hath jaate hai log,tufaan ko aane se ROKTE NAHI...

bandhuk haath me hai par chalegi nahi goli tujhse kyunki,

jo THOKNE ka madda rakhte hain,woh itna BHONKTE NAHI...



us RAJESH ko lagatar ghur in lines ko bolte hue mai uski taraf badh chuka tha...

par mai akela nahi tha... mere saath RESORT ke kuch security guards bhi the..

hatte katte mushtande the woh sab ke sab jinhe mai hi kisi kaam se lekar gaya hua tha...

anyways,us RAJESH ki taraf badhne ke beech jab meri nazar sabhi girls ke faces par padi jo is waqt unke aansuon se bhari hui toh pehle se hi laal hui padi meri aankhon me jaise ek khoon utar aaya tha..

us RAJESH ki woh aakhri baat jo usne girls ke liye kahi thi,woh suni thi maine...

wahin dusri taraf mera yun aana,phir meri boli hui baat aur ab uski taraf badhne par bhi pehle toh normal hi raha woh RAJESH lekin jab meri aankhon ki laali dekhi usne toh ek pal ke liye ghabra gaya tha woh..

corrupted zaroor tha woh par saath hi saath ek experienced police officer bhi tha..

is waqt mere face ki intensity se andaza laga liya tha usne ki ye banda tedha hai..

isiliye us ghabrahat ke beech bhi turant khudko normal kar kuch kehne ko hua woh par tabhi..

us tak pahunch chuka tha mai aur agle hi pal uske us haath ko jisse usne gun pakdi hui thi,usse EKPREET ke sir se hata apne maathe ke beecho beech rakh diya maine aur ye dekh mere dost toh dare hi par us RAJESH ka toh dimag hi ghum gaya..

kuch samajh hi nahi paaya tha woh par tabhi..


MAI-kya hua...thokne waala tha naa tu... ye naa sahi,mera bheja toh tere bandhook ki nali ke saamne hai...

ek baap ki aulad hai toh daba trigger...daba na madarchod...


DHADDH.....


aakhri baat chillakar boli thi maine jiske baad padi meri laath us RAJESH ke chest par..

tezi se piche ki taraf jaakar gira woh aur ye dekh saare constables lapakne ko hue meri taraf par mere saath aaye guards ne un sabka raasta rok liya tha...


MAI-kya bola tu is jagah ko..randi khaana...

DHAKKK.. CHATAKKHHHH....DHAKKK...

MAI-randi khaana woh hota hai jahan tujh jaise dalle paida hote hain behenchod...

DHABBBB....


mere usse laath maarne ke turant baad khada ho mujhe hit karne aage badha tha RAJESH jispar uske right hand ko block kar maare the do tamache maine usse..

ussi beech kahi thi maine apni baat jiske baad ek baar phir mujh par jhapta tha woh par tabhi uske haath ko lock kar apne kandhon ke pressure se utha uski hi movement se create hue power ko use kar aage ki taraf patak diya tha maine usse...

wooden floor tha cottage ka jispar yun pressure se girne ki wajah se pura back chatak sa gaya tha us RAJESH ka..

par in sabke beech mere sabhi dost hairan bhi hue,dare bhi aur saath hi saath itne der se jo frustration aur ghussa un sabke andar panap raha tha,usse sukoon bhi mila...

hairan isiliye hue woh sab kyunki height.size aur taakat,in dono maamlo me kahin aage tha mujhse woh officer par jin techniques se maara tha maine usse, aisa laga unhe ki ek trained martial artist apna gur dikha raha hai..

dare isiliye kyunki chaahe jaisa bhi ho,par tha toh RAJESH MISHRA ek police officer woh bhi INSPECTOR..

par bina us point par dhyan diye suth diya tha maine usse...


SONU-yye ssaala ppagal hhi hhai ppura...

RAJAT-haan yaar...sanka toh aage piche kuch nahi dekhta ye...

NITS-GALALTH ke saath GALATH karne se sahi kuch nahi hota..par maanana padega..85 kg ke upar hoga ye RAJESH par kitne araam se thobi pacchad de diya lounde ne...

SAM- technique perfect ho toh saamne waala kitna hi taakatwar kyun naa ho,zamin par aa hi jaata hai...


ek taraf ye saari baatein kar rahe the mere dost aur dusri taraf dhobi pacchad khaane par girne ke kuch der baad khud ko sambhal khade hote hue...


RAJESH-ek on duty police officer par haath uthaya hai tune...teri jo haalath karunga mai,soch bhi nahi sakta tu...


ek patla dubla ladka tha mai par jis speed aur technique ke saath ab tak maara tha maine usse,ye dekh man hi man hairan ho chuka tha RAJESH..

wahin lambi lambi saanson ke beech uski kahi baat ko sun...


MAI-on duty officer..matlab kaanoon,law ki baat kar raha hai tu.....

wahi law jiske NDPCS act ki adhiniyam ke tahat, yadi kisi bande ke paas se nasheele ya manodaihik chizon ki baraamadagi ke baare mein pehle se news mili ho, to aise bande ko giraftar karane ya even talaashi lene ya zabt karane ki power police officer ke paas hoti hi nahin hai..

sirf metropolitan magistrate,first class magistrate ya in dono ke absence me special cases ke liye rakhe gaye second class magistrate ko hi us bande ke khilaaf talaashi aur giraftaari ke warrent jaari karne ka hakh hota hai jispar drug consuming aur distribution crime ka aarop ho..

par kya aisa hua hai idhar...

antways,ye toh hua pehla clause..ab agar baat karen second and the most important clause ki toh...

jab bhi pre info ke base par raid ki jaati hai, to NDPS act ke code 41 (2) aur 42 (1) ke according written right holding officer ya charged special officer ke alaava koi aur officer ke through talashi, zabti ya giraftari investigation ko nuksaan pahuncha sakti hai..

agar bataye gaye kisi bhi rule ka paalan authority ne nahi kiya toh iska faayda jispar ilzaam lagaya jaa raha hoga,usse milega...

am i right or am i right officer...


pure rules aksharaksh sahi bole the maine jisse sun aankh aur gaand dono hi khul gaye the us RAJESH ke..

ek school going ladka tha mai..mai hi kya,yahan moujud har woh shakhs jispe drugs supplier ka ilzaam lagaya tha RAJESH ne,woh sab students the..

isiliye hi toh bina khaas taiyari ke aaya tha woh... usse laga tha ki normal school going bacchon ko handle karna kaun si badi baat hogi..

jab tak humari taraf se retaliation hoga,joki obviously hamare parents ke through hi ho payega,tab tak toh drugs aur woh chaar bande jo uske gawah the,unke dum par media me baat faila dega woh jisse usse ek strong backup mil jaayega...

aakhir public support se bada koi support jo nahi hota..

khair,kuch seconds lage usse meri baaton ke sach ko hazam karne me jiske baad..


RAJESH-last aaya na tu yahan crime scene par.. situation dekh google kiya hoga tune niyam jaanane ke liye..

par koi faayda nahi beta...bhale hi warrent nahi hai mere paas lekin drugs toh baramad hue hi hain yahan se aur drug effected bande bhi issi resort me moujud hain..

itna kaafi hai tum sabko lamba lapetne ke liye..

MAI-dimag me gobar bhara hai kya tere...!!! drugs, effected bande,inme se kisi bhi chiz par tera comment tabhi maayne rakhta jab ye sab achanak hi tere saamne aaye hote..

par tu planning ke saath yahan aaya tha jo tujhe kisi bhi tarah ke action ke liye unauthorized bana deti hai..

phir bhi,itni mehnet ki hai tune...apna pichwada sujaate hue itni door aaya hai tu toh aise hi toh naa jaane denge tujhe..

de bhi dete par jo bakwas tune hamari friend's ke liye ki,uske baad toh saste me naa chhutega tu..

RAJESH-acha..aur kya karega tu...!!!waise bhi mujhpar,on duty officer par haath uthakar pehle hi apni kabr khod li hai tune...

MAI-on duty officer..ye shabd zyada der tak sajega nahi tere mooh par..

par woh baad me.. filhal jo scene chal raha hai,usse clear kar lete hain...

le aao bhai,patko idhar dono chutiyon ko...

DHABBBB...DHABBBB..

meri baat khatm hui hi thi ki guards ne do logon ko hamare beech patak diya jinhe dekh aakhein badi ho gayi thi girls ki par unse zyada fati RAJESH ki..

REASON..

NAMITH aur DEEPESH....

ye dono hi gire pade the hamare beech...mooh maar khaa khaakar suja hua tha dono ka..sense toh pura tha dono ko par situation dekh dimag sunn hi padh gaya tha unka..


MAI-jaanta hai naa dono ko...

RAJESH-nnnahi toh...aur police ke saamne kisi innocent ko aisi halaath me daal saamne rakhna, it's a big crime...


hadbada gaya tha DEEPESH aur khaaskar NAMITH ko dekh RAJESH...

kyunki apne bade bhai ke through jiska connection tha RAJESH se,usse mil, usse acha khaasa paisa khila is kaand ke liye raazi kiya tha usne...

jaanta tha mai ye baat par filhal is connection ko saabit karne ka na logic tha,naa matlab isiliye...


MAI-innocent aur ye dono...ye pura kaand in dono ne hi toh racha hai...

RAJESH-bakwas mat kar ladke.. khudko aur apne doston ko bachane ke liye innocent bacchon ko fasa raha hai tu..

drugs is room se mila hai aur in dono ko tumhare log laaye hain yahan...

inka is drugs aur case se koi lena dena nahi hai...inhe toh pata bhi nahi hoga ki kyun laaya gaya hai inhe yahan..

NAMITH-jee sir...aapne bilkul theek kaha...mai toh apne friend's ke saath apni colony ke ground me tha ki tabhi ye SANVY in logon ke saath aaya wahan aur mujhe maarte hue yahan lekar aa gaya..

DEEPESH-mere saath bhi yahi hua SIR..mai toh morning yahan se checkout karke jaa raha tha ki tabhi ye NITS aur SONU ne mujhe parking ke paas gher liya..

bohot maara in dono ne mujhe aur yahan ke guards ke through mujhe pakadwa kisi room me lock kar diya aur ab yahan laakar patak diya..

we are completely innocent sir..


us RAJESH ki baat sun ek opening window dikha tha NAMITH aur DEEPESH ko jiska faayda uthathe hue apni apni dalile di dono ne jispar...


MAI-suje hue mooh ke saath wakayi sharif lagte ho be dono...

tum dono ki hi tarah kuch aur sharif log bhi hai idhar..miloge..!!!

DHABBBB...DHABBBB...DHABBBB...DHABBBBB...


SAM ke ishare par ek ke baad ek chaar ladke jinke haath pair bandhe hue the,unhe feka gaya NAMITH aur DEEPESH ke paas jinhe dekh ek baar phirse aankhein badi ho gayi un dono ki...

wahin un chaaron ka sir jhuka hua tha....


NITS-ab inhe toh pehchaante hi hoge naa be...classmates hain tum dono ke..

wahi chaar log jinhe hamare khilaaf forced toxicology ka gawah banana chahte the tum dono..

BASANT-ye jhooth hai...woh chaaron alag hain aur abhi bhi behosh pade hain...


head constable BASANT tapaak se bola beech me jispar muskuraya mai aur..


MAI-aapko kaise pata constable sir..!!!gawahon ke shinaakth ke liye toh baaki constables gaye the...

aap toh cottages checkout kar rahe the...

BASANT-woh,woh mai..


hadbada gaya tha BASANT...


MAI-itni jaldi mat hadbadayiye... bohot mouke aane waale hain abhi..

RAJAT-shuruat turant kar dete hain...

aa jaao guys...


thoda zor se bola RAJAT ne jiske baad cottage me enter hue 4 ladke jinhe dekh ab baari thi sabhi constables ke aankhein faadne ki..

kyunki ye wahi chaar ladke the jo unhe room 124 me behosh mile the..


SONU-hhairan hho ggaye nna...yye ccharron kkoi ggawah nnahi balki hhamare classmates hhain jjinhe hummne SSAMRAT kke ccharron lladko kko ppakadne kke bbaad unkke eqqiuped rroom mme rrakhwwa ddiya ttha...

auur wwoh ssaare drugs jjo yye bbas hhalka sa lle oout hhone waale the,hhumne llene nnahi ddiya innhe wwoh...

cclean hhain yye ssab abbhi....

aur yye ccharon bbehosh nnahi tthe,bbas bbehosh hhone kka nnatak kkar rrahe tthe...

ggreat jjob gguyzz...ppolice wwaale bbhi guess nnahi kkar ppaaye ttumhari accting.. bbrilliant..


jahan SONU ki baat par woh chaaron bas muskura bhar diye wahin SONU ne jo kaha,usse sun...


MAI-woh isiliye kyunki ye sab corrupted hain, imaandar hote toh chalti naa budhi inki..

upar se hum sab thehre school going students isiliye overconfidence tha inhe ki araam se lapet lenge hum sabko..

RAJESH-zabaan bohot chalti hi teri ladke par faayda ab bhi zyada nahi hai tum sabko..

haan,ye ho sakta hai ki ye gawah negetive hon par drugs se bhara ek pura bag issi kamre se mila hai jo is ladke ko aur agar tum sab iske saath ho toh tum sabko bhi guilty banata hai...

HAHAHAHAHA...


us RAJESH ki baat par hasne lage the hum sabhi boys jispar hairani se dekhne laga woh hume jispar...


SAM-hairan mat ho..yahin hain hum..sab samajha denge tujhe woh bhi proof ke saath...

le aao...dikhao inspector sahab ko picture...


un do attendents me se ek ko jisse hamare liye hi rakha gaya tha, kahi ye baat SAM ne jiske baad ek laptop liye aaya woh aur hum sabke aage bed par rakh diya usse..

laptop open hi tha jisme kisi video ko paused mode me rakha hua tha par bed par rakhte hi video play kar diya usne jiske baad jo scene chala,usne us RAJESH aur uske constables ko toh hairan kiya hi,par sabse zyada hairan aur dar paida hua tha DEEPESH ke chehre aur man me...

REASON..

is waqt laptop me kal shaam ki hi video chal rahi thi jisme saaf dikh raha tha DEEPESH...

haathon me uske wahi bag tha jisme drugs thi jisse usne last wardrobe ke khaanche me rakh diya tha...

aur bag wardrobe me rakh room se nikal gaya tha woh...

video clear tha isiliye shak ki koi gunjaaiyish nahi thi..

drugs hamara nahi us DEEPESH ka hi tha,ye proof kar diya tha humne par in sabme bhi man hi man loophole talash kar raha woh RAJESH jisse ek halka sa window mil bhi gaya jisse woh bolne ko hua par tabhi...


MAI-yahi bolna hai naa ki zaroori toh nahi,agar bag DEEPESH ne rakha ho toh hume fasane ka plan bhi ussine banaya ho...

hum bhi toh usse fasaane ke liye bag usse yahan rakhwa sakte hain aur isiliye hi video bhi banayi humne...


mere tark ko joki wakayi woh dene waala tha,sun chup reh gaya RAJESH..

is beech apni baat bolte hue haath SONU ki taraf kiya usne jispar ek mobile joki DEEPESH ka tha aur jiska pehle hi password break kar chuka tha woh,meri taraf badha diya usne..

last whatsapp message joki NAMITH ko is morning yahan se checkout karte waqt type kiya tha usne par situation under control aur normal feel kar us text ko delete nahi kiya tha usne,usse khol us RAJESH ke mooh ke saamne kar diya maine jisse padh aise dekha RAJESH ne DEEPESH ko jaise mind teleporting communication ke zariye usse chutiya bol raha ho...


HOW......!!???


itni der se chupchap ye sab dekh aur lagatar hairan ho rahe NAMITH ne aakhirkaar ek shabd ka woh sawal puch hi liya jo uske sabhi sawalon ka kendra bindu tha..

mujhse hi pucha tha ye sawal NAMITH ne jispar usse dekh halka sa muskuraya mai aur...


MAI-andar aa jaa bhai....


mere yun awaaz dene ke kuch seconds baad cottage me enter hua KALPESH...wahi FUSION SHOP waala...

aur usse yahan dekh aankhein badi ho gayi NAMITH aur DEEPESH ki jiske baad..


NAMITH-KALPESH,tu....tune bataya in sabko...


ghusse se bhar kahi thi ye baat NAMITH ne jispar..


NITS-arre nahi bhai..bohot imaandar dost hai tumhara..isne nahi bataya hume kuch..

par haan,tum sabke plan ke baare me pata hume tum dono se hi chal gaya tha...


NITS ki baat palle nahi padi thi NAMITH ke isiliye aakhon me sawal liye woh hum sabko hi ghoor raha tha jispar...




A SMALL FLASHBACK:-




BHAI KUCH SAMAJH ME AAYE,AISA BOL...


DEEPESH ki baat par muskuraya NAMITH aur...


NAMITH-plan simple hai par super effective bhi...par pehle ye bata ki us pedler ka stock ab bhi apne paas rakhta hai tera bhai ki nahi...!!!

KALPESH-abbe us akele ka hi nahi,2,3 aur pedlers ka bhi stock rakhta hai woh...

un sabke trusted circle me aata hai mera bhai aur sabse zyada grahak bhi ussike contact se bane hain un sabke....

parso bahar jaane se pehle apne room bulaya tha usne mujhe...

mujhse toh kuch chhupata nahi hai woh..2 bag pade the udhar jinhe bed ke neeche rakh mujhe dhyan dene ka bol nikla woh..

NAMITH-kahan hai tera bhai...???

KALPESH-masoori gaya hai apni bandi ke saath..

NAMITH-wapsi...

KAPESH-exact toh nahi bataya usne par monday se pehle nahi aayega woh...

NAMITH-phir toh tention hi nahi hai koi..sun, uske room se drugs ka ek bag mujhe nikal ke dega tu..

PRINCE me banda hai apna ek..DEEPESH...ye SANVEER,SAM aur uske dost nahi jaante usse..

in sab SIRIUS waalon ke jaane se pehle hi usse us bag ke saath bhejunga mai RESORT jahan in sabka wait karega woh..

aur un sabke wahan aate hi mouka dekh unme se kisi bhi ek room me rakh dega woh us bag ko..

bag plant karne ke agle hi din padegi SAMEER CHANDER ke resort me police ki raid...

drugs toh unhe mil hi jaayegi par SIRIUS waalon par case strong karne ke liye kuch aur bhi hoga wahan..

in SIRIUS waalon ke resort pahunchne waale din hi apne chaar aur bande bhi bhejunga mai wahan jo drug implantation waali raat khud bhi drug le out ho jaayenge...

aur jab raid padegi toh drugs ke saath apne bande bhi nashe me dhut milenge wahan jo hosh me aate hi ye gawahi denge ki SAM aur uske sabhi doston ne unhe jhaanse me lekar resort bulwaya tha aur drugs lene ke liye force kiya...

aur jab woh nahi maane toh un sabne zabardasti unhe snorts aur injections de diya...

bas,is statement ki der hai jiske baad us SAM, SANVY aur uske sabhi doston ki life barbaad ho jaani hai...

KALPESH-baaki sab toh theek hai par un drugs ka kya...???agar police ke haathon chaddha drugs toh wapas milne se raha..

aur bhai, laakhon ka maal hai woh...woh pedlers bhai ko nahi chhodenge aur bhai mujhe nahi bakshega...

NAMITH-abbe relax...kuch nahi hoga waisa...agle hi din wapas mil jaana hai tujhe woh bag...meri guarantee hai..

ab drugs ki chinta chhod aur batao guyz, kaisa laga plan...!!!

KALPESH-maan gaye bhai..kamal ka harami hai tu saale..sab kuch theek se ho gaya toh maza hi aa jaayega..lanka lag jaane waali hai un sabke life ki..



FLASHBACK ENDS:-



SONU-aurr kkoi ssawal...??


SONU ke phone me chal rahi thi ye recording jiske pura hote hi wapas apni jeb me rakh liya usne apna phone...

wahin us recording ko aankh kaan aur baaki sab chhed khol sun rahe the NAMITH aur DEEPESH par samajh unhe ye nahi aa raha tha ki unke plan ko record kiya kaise hum sabne..

unke confused expressions unka ye sawal clear bata raha tha jispar..


MAI-zyada ganit mat laga..batata hun..yaad hai us din FUSION me jab apni shopping kar bathroom gaya tha mai..

SONU ka phone tab mere paas hi tha jisse wapas loutne ke baad usse nahi pakdaya tha maine balki recording on kar chupke se apne hi ek shopping bag ke andar slip in kar diya tha..

tum dono ko ghoor rahe the SONU NITS us waqt jinhe apne saath neeche le gaya tha mai..

baaki sab bags toh pakad liye the maine bas ek bag jisme SONU ka mobile tha,wahin chhod diya tha..

mujhe maalum tha ki hamare jaane ke baad koi na koi khichdi pakaoge tum sab joki pakayi tumne aur woh saari baatein record ho gayi mobile me..

SONU wapas louta apni chhuti bag lene jiske baad usse aur NITS ko tum sabki recording sunayi maine..

in dono ke baad baaki boys ko bhi tumhari planning batayi humne aur phir banaya tumhare plan ke har step par counter plan..

sirf tere hi bande PRINCE me nahi hain NAMITH..hamare bhi hain.

unse tere is dost DEEPESH ki puri details le li thi humne..

PRINCE me padhta hai tu aur woh bhi ussi class ka part hai jisme KHANAK padhti thi pichle saal tak..

EKPREET-aur beta DEEPESH...pool ke paas jo takraya tha mai tujhse,woh achanak nahi hua tha..

plan tha woh hamara tujhe KHANAK ki nazaron me laane ka taaki uske zariye hum tujhe apne kareeb rakh saken..

kal raat ko jo tune sleeping pills milayi thi sabke drinks me,woh sirf girls ne hi pee thi,humne nahi..

hum toh early morning hi uth gaye the taaki police ke aane tak saari plannings set kar saken..

NITS-aur SANVY kuch gurads ko lekar gaya tha NAMITH ko uthane...aakhir main culprit yahi toh hai..

hamari baat ya phir ue kahun ki unki planning par jo counter planning ki thi humne,usse sun dimag ghum chuka tha unka..

DEEPESH ko ab samajh me aa raha tha ki kyun NAMITH ne usse mujhe seriously lene ko kaha tha..

par ab faayda kya tha..lanka toh lag hi chuki thi in dono ki...

khud me khoye hue ye sab soch rahe the woh dono par tabhi cottage me enter hue JIGNESH UNCLE..KALPESH ke father..

jaisa ki bataya tha maine ki unke kaafi ache relations hain meri mom ke saath isiliye KALPESH ko drag karne ke bajaye aaj subah NAMITH ko uthwane se pehle unke paas jaa saara sach saboot ke saath bata diya tha maine..

achi khaasi sutayi ki thi unhone KALPESH ki aur uske saath woh bhi idhar aaye the..

JIGNESH uncle ko dekh aankhein jhuka li thi NAMITH aur DEEPESH ne..

par isse uncle ka un dono ke prati ghrina,ghussa bilkul zara bhi kam nahi hua tha..

bina kuch kahe SAM, EKPREET,RAJAT,NITS aur SONU ke saamne haath jod diye unhone jispar turant aage badh unka haath pakad liya SONU ne aur..


SONU-aappki ggalti nnahi hhai unncle...aapne ttoh bbas appne bbete kko ffreedom hhi di,ppar wwoh us azzadi kka ssahi isstamal nnahi kkar ppaya toh issme aappka kkya kkasoor..

MAI-apne bache ke gunah ke liye ussike umr ke ladkon ke aage haath jodne padh gaye tere dad ko..

tere occhepan aur neechta ki isse badi kya saza mil sakti hai inko..


meri baat sun sir sharmindagi se jhuk gaya tha KALPESH ka par jo usne kiya tha ya phir ye kahun ki karne ki koshish ki thi,uski maafi sirf sharmindagi toh chuka nahi sakti thi...


RAJESH-alright then...tumhara phone tumhe hume handover karna hoga..

recording ki voice authenticity karwani zaroori hai..par abhi ke liye ye tum sab clear ho..

BASANT,daal in sabko jeep me... JUVILINE bhejna padega in sabko..


NAMITH, DEEPESH aur woh chaar lounde jo NAMITH ke bolne par yahan aaye the,unki taraf ishara kar boli ye baat RAJESH ne jispar..


EKPREET-aise kaise chale inspector...ek culprit toh tum bhi ho...

pehle toh bina permission,warrent mooh uthaye chale aaye yahan aur uske upar battamizi ki hum sab aur khaas kar girls se...

pehle toh haath jod maafi maang in sabse warna yahin chhil denge tujhe...


jo jo baatein kahi thi us RAJESH ne,woh naa EKPREET bhula tha aur naa hum..

gurrate hue kahi thi ye baat usne jispar muskura utha RAJESH aur...


RAJESH-beta dhamki apne umar ke loundo ko dena,mujhe nahi...mujhse maafi mangwayega tu..

bhulo mat ki abhi bhi minor catagory me aate ho tum isiliye false investigation jaisi maamuli complaint par mera kuch bigaad nahi paaoge tum sab..

ek warning milegi mujhe aur bas,sab clear...

abhi on duty hun mai isiliye saamne se kuch nahi kar sakte tum sab mera aur agar kiya toh mera kisi bhi tarah se jawab dena completely legal maana jaayega..

aur yahan jo bhi hua,uske binah par bhi kuch nahi kar sakte tum sab kyunki proof nahi hai kuch tumhare paas...

yahan ke staaf ki gawahi zyada maayne rakhegi nahi aur iske alawa aur kya hi dikha sakte ho tum...


jab SONU apne phone ki recording sabko suna raha tha,tab us scene ke beech ek aur scene chal raha tha...

woh INSPECTOR RAJESH us recording ko sunte hue us area ki taraf badh chala tha jahan se DEEPESH ke room me aane aur bag me rakhne ki recording ki gayi thi..

camara abhi bhi laga tha wahan par filhal off tha jisse RAJESH ki anubhavi aankhen turant taad gayi thi..

upar se recording ke dauran NAMITH ki kahi gayi saari baaton me kahin bhi RAJESH ka direct zikr nahi hua tha...

ye ek bada plus point tha uske liye jiska faayda abhi utha raha tha woh...

anyways,uski baat sun EKPREET aur uske saath hum sabhi muskurane lage aur ye dekh RAJESH ki aankhein sochne waale andaz me choti ho gayi..


MAI-zyada mat soch,bas sunta jaa...jis camera ke off hone ke kaaran uchak raha hai tu,woh is room me laga ek maatra camera nahi hai..

NITS...


mere NITS ka naam lete hi haste hue NITS aage badha aur BED me chadh ek point par pahunch apni ungli point ki usne jisse dekh aankhein badi ho gayi RAJESH ki..

ek micro camara us pointed jagah par laga hua tha joki chaalu tha..

aur wahi nahi,us jagah ke baad NITS RAJESH ke paas pahunch uske right taraf ki diwaar ke taraf badh gaya jahan ek aur camara bugged tha jisse dekh dimag hi ghum gaya RAJESH aur uske saath uske sabhi constables ka bhi..

kaafi paas tha woh camara aur jaise khada tha RAJESH,uske according uski har baat ke saath facial expressions bhi saaf dikh rahe the us camara me...


RAJESH-ek baar me batao,recording kahan par ho rahi hai...???


ek dhamki bhari gurrahat thi RAJESH ke sawal me jisse sun hasne lage hum sab aur..


EKPREET-recording..abbe live telecast ho raha hai yahan chal raha har scene...


hadbada aur ghabra gaya tha RAJESH EKPREET ki baat sun jispar..


EKPREET-relax..kisi channel par nahi, sirf ek connection gaya hai in camaras ka jisse dekh bhi sirf ek hi shaksh rahe hain...

SAM-le,khud baat kar le...


EKPREET ki baaton ke dauran ek number dial kar diya tha SAM ne jiske dusri taraf se pick up karte hi mobile speaker par rakh phone aage kar diya tha SAM ne jiske baad...


INSPECTOR RAJESH MISHRA...


pehli baar kisike mooh se apna naam sun gaand fati hogi RAJESH MISHRA ki joki laazmi bhi tha...

police department ke count road,nardev shashtri marg,D.I.G office se khud DIG KEWAL KHURANA ki awaaz thi ye jisse sun pehle toh hadbadaya RAJESH aur phir..


RAJESH-good morning sir..sir mai..

D.I.G-not a word officer..tumhari kahi har baat clearly suni hai maine...

who the hell do you think you are...jaante ho kin bacchon par itne serious allegation laga rahe ho..

SIRIUS SCHOOL ke students hain woh sab joki pure uttarakhand ka sabse reputated institution hai..

aur tum mooh uthaye MRS SMRITI CHANDER ke resort me chale gaye woh bhi bina warrent...

kaise explain karoge apni ye non sensical action ko...!!

RAJESH-sorry sir par aaj morning hi mujhe ye info mili ki yahan resort me drugs aur drug victims hain..

maine socha ki agar warrent ke through gaya toh kaafi time lag jaayega aur evidence, victims,sab clear ho jaayenge..

D.I.G-accha...and how did the plan went out exactly...!!!

ek tricked scene me fasaya gaya tha un bacchon ko..but leave that thing..

baat kaise kar rahe the tum un students se..aur language,kya yahi language apne ghar ki ladies par bhi istamal karte ho tum...!!!

today,you have disgraced the whole department through yours action..


pehle ek student ke haathon sutayi aur phir sabke saamne D.I.G ka yun sunana..andar se toh bohot sulag raha tha RAJESH par filhal kar kuch kar sakta tha nahi woh isiliye...


RAJESH-sorry sir..it wont happen again..

D.I.G-woh pata hai mujhe..law ko apni property samajh jitna karna tha,kar chuke tum..

lekin ab tumhare saath sab by law hi hoga..

but first things first...maafi maango sabhi bachon se...


D.I.G ki baat sun hum sabko dekh sir halka neeche kar..


RAJESH-sorry...for everything..

ANJALI-sorry my foot...mother fucker son of a bitch...


dheere par ek gurrahat ke saath di thi ye gaali ANJALI ne jo RAJESH ke kaano me padh chuki thi par react toh kar sakta tha nahi, isiliye shaant hi raha woh..

par ANJALI ki baat ya phir ye kahun ki uski gaali sun halka halka has diye the hum sab jisne us RAJESH ke dil ko aur jalaane ka kaam kiya tha...

anyways,RAJESH ke apology ke baad...


D.I.G-constables..jitne bhi alleged suspects hain,baramad kiye drugs ke saath unhe JUVILINE le kar jaao...


sabhi constables jinki D.I.G ki awaaz sun pehli hi fati hui thi,unke order ko sun woh sab aise harkat me aaye maano agar ek second ki bhi deri hui toh phone par hi gaand maar lega D.I.G unki..

agle 1 minute me hi NAMITH, DEEPESH,KALPESH jiske saath uske dad bhi gaye aur woh chaar bande jinhe gawah ke roop me hume trap karne ke liye laaya gaya tha,woh sab constables ke saath cottage se jaa chuke the..

aur aisa hote hi ek baar phirse ubhri phone par D.I.G KEWAL KHURANA ki awaaz...


D.I.G-and for you officer..aaj kiye tumhare action ke liye tumhe substantial proof ke saath ek written statement S.S.P desk par issue karwani hogi...

par tab tak indefinite period ke liye, you are SUSPENDED....

beep...

apna faisla suna call rakh diya D.I.G ne jisse sun jabde sakhti se bheench gaye the us RAJESH ke par ab kare bhi toh kya..

jo boya tha,uska hi phal khaa raha tha woh...

kuch seconds yunhi apne ghusse aur apmaan ke ghoont ki leher ko zabt karte hue khada raha woh aur phir dheere se cottage ke bahar jaane ke liye kadam badha diye usne...

humne bhi roka nahi usse aur jane diya par jahan hum the,us room se nikal door ke dusri taraf pahunch joki surveillance free area tha,rook palta hamari taraf yaa phir ye kahun ki meri taraf woh aur..


RAJESH-naam kya hai tera...???

NITS-kyun, substantial proof me iska bhi naam add karega kya...!!!

MAI-SANVEER AHARYA...


NITS ke taunt ke baad bina laag lapeth apna naam bata diya maine jispar..


RAJESH-ye din nahi bhulne waala mai..aaj tak kisi ne ungli tak nahi uthayi thi mujhpar aur tune haath utha diya..

manmane encounters kiye hain maine par saza toh door, inquiry tak nahi hui thi mujhpar kabhi..

lekin aaj ek investigation ke liye jiske fail hone ke piche bhi tera hi dimaag tha,life me pehli baar suspend hua hun mai...

you have to pay for this..you will pay for this...


RAJESH ki dhamki sun ek lambi saans chhod uski taraf badha mai..

mere sabhi dost bhi saath hi the mere... anyways,uske paas pahunch chuka tha mai jiske baad uske aankhon me dekha maine jahan mere saath kuch bura karne ka conviction saaf dikh raha tha..


MAI-tere is jhuthe ghamand ka kaaran khud hi bata diya tune..

tere lagatar kiye gaye GALATH kaamo ko GALATH nahi thehraya tha kisine..

aur aaj jab woh GALATH wakayi GALATH saabit hua toh us sahi faisle ko bhi GALATH hi maan raha hai tu...

koi naa..tere jaise GALATH aadmi se sirf GALATH ki hi ummid ki jaa sakti hai...

aur rahi teri mere saath kuch GALATH karne ki baat toh..

try kar ke dekh lena...fail hua toh koi baat nahi par agar wakayi galti se bhi mujhe taklif pahuncha gaya tu toh...




hamesha kaanpega tu,tere sir par dar ka woh CHHAT BANEGA....

jiski buri gath ko koi padh naa sakega,tu woh KHATH BANEGA....

sukoon ki saanson ka daur khatm ho jaayega tera...

jo teri har SAHI cheez ko mita dega, SANVEER woh GALATH BANEGA...











AAJ KE LIYE ITNA HI...









AAPKA APNA V...J.
 

Top