Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,107
143
Hum bahut sasti maut mil gayi bach gaye ghutan se wo log apni life set karne ke chakkar me apne bete ki life barbaad kar diya use saitaan bana diya chalo Jo hua achcha hua pata nai kaise afsoos tha sayad hawas khatam hone ke baad bete par dhyan gaya hoga

:thanks: for your precious comment :dost:

Shaitan bana hai ya kuch aur ye aage jaa ke pta chalega :D

Tab tak sath bane rahe :hug:
 
Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,107
143
Update 05

Unko dafan karne k baad jab shaheer ghar lauta aur hall mein aya ..to usey uska bachpan yaad aya kaise woh apne mom dad k sath khela karta tha .. woh sab yaad aate hi uske aankhein nam ho jati hai .. hall mein aurten bethe hue aansu baha rahe the .. shaheer bahir ata hai mardon wale side mein.. jahan mard aate aur shaheer k paas dua kar k chale jate ..Shaheer bs apne dad ko yaad kar ke aansu bahata raha ..

Ye silsila 3 din tak chala .. teesre din pura haveli khali ho chuka tha bs naukar aur sakina k family wale hi the .. ab bhi aik ya do k taadad se log ate aur dua kar ke chale jate .. Jab 7 din guzar gaye to kafi had tak mahol normal ho gaya tha .. shaheer aur bakiyon ka bhi rona dhona band ho gaya tha ..

Aise hi aik din shaheer lunch kar raha tha dining table pe .. Ruqayya aur uske shauhar wahi sofe pe bethe the .. Kashifa khala shaheer k paas bethi thi .. tabhi Ruqayya shaheer se poochti hai

Ruqayya :- kab jaa rahe ho wapis ? Kis ke intizar mein ho ab ?kya lagta hai tumhe Javed bhai ne tumhare naam apna property kiya hai ye soch rahe ho ? ..bhoool jao ye khush fehmi tum to unke nafrat k qabil bhi na the .. tumhare naam phuti kodi bhi nahi kiya hoga unhon ne ..

Abhi shaheer unko kuch kehta usse pehle hi kashifa khala kehti hai

Kashifa khala :- Inke nahi to aur kiske tumhare naam kiya hoga javed sahab apni property haan ?? baat karti ho .. Javed sahab k tukdon pe palne wale uske bete ko bolte ho khush fehmi mein na raho .. Khush fehmi mein tum na raho .. kyu k tumhare unke talwe chaatna kisi kaam na ayega .. phuti kodi bhi tumhare naam nahi kiya hoga ..

Abhi Ruqayya kuch kehti usse pehle hi ghusse mein uske shauhar yani sakina k bhai Naeem bolte hai

Naeem :- kashifa tum na apni had se bahir nikalti jaa rahi ho .. Dekh lena sab se pehle tumhe hi dhakke de k is ghar se bahir phenkoonga mein .. phir dekhta hu kaha jate ho tum ..

Shaheer chup chap lunch karte hue unke baatein sun raha tha .. Usey yaqeen nahi ho raha tha k log itne laalchi bhi hote hai .. Shaheer ko pata tha k uske dad uske naam kuch nahi kiya hoga .. kyu k usne unke liye kuch kiya hi nahi tha .. hamesha unko hi nafrat k qabil samjhta tha shaheer aaj khud ko dekh raha tha.. k kya woh unke pyaar k qabil tha .. Uske dil se aik hi jawab nikla .. Nahi .. phir kaise karte apni property inke naam ..

Abhi kashifa kuch jawab deti tabhi bahar se aik naukar aake batata hai .. K javed khan ka Advocate aya hai .. shaheer usko andar bulata hai .. thodi dair mein Aik old age ka aadmi andar ata hai .. shaheer usey salam karta hai aur milta hai .. Advocate ko dekh k Ruqayya aur Naeem to uske khatirdari karne lagte hai .. Unhe lag raha tha k unke nam bhi kuch kiya hoga javed khan ne .. Unke naam nahi to apni beti k naam to kiya hi hoga .. jo age jaa ke unhi ka hone wala tha ..woh soch rahe the .. Tabhi Advocate bolta hai

Advocate :- Javed khan k beti ko bhi bulaye taa ke sab k samne mein unka Wasiyat ( will ) suna du ..

Ruqayya jaldi se 2nd floor pe jaati hai .. aur apne bhaanji ko bula kar lati hai .. Jab woh neeche ati hai to uske aankhein sooji hui thi .. Kuch na sone ki wajah se aur kuch apne mom dad k gham mein .. woh Javed khan se boht pyar karti thi .. unko hi apna real father maanti thi .. Apne father ko to usne kabhi dekha bhi nahi tha .. Aur javed khan ki khidmat bhi boht ki thi isne uske aakhri waqt mein .. Kher sab k neeche aane k baad Advocate Javed khan ka will sunata hai…
 
Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,107
143
Update 06

Advocate :- Mein javed khan apne pure hosh o hawas mein apna pura property , apna ghar , apna bank balance , apna buiseness , apni gaadiyan sab kuch apne bete shaheer khan k naam karta hu .. Ab ye uski marzi hai k isme se kisi ko kuch dein ya na dein ..

Ye will sunne k baad jinko sab se bada jhatka laga tha woh the Ruqayya , Naeem aur Shaheer .. Ruqayya aur Naeem ka to sab samajhte hai laalchi the .. unko lagta tha k Javed Khan apni property apni beti k naam karenge .. aur baad mein woh dono usse sab hadap lenge .. magar yaha inke armaanon pe pani phir gayi thi .. Shaheer ko jhatka isliye laga tha k usey nahi lagta tha k uske dad apni property mein se usey kuch denge .. magar yaha to unhon ne sab kuch shaheer k naam kiya tha ..

Kher advocate will sunane k baad chale gaye .. magar ghar mein aik zilzila kar k gaye the .. Abhi ruqayya aur naeem is zilzile se bahir nahi aye the k kashifa ne unhein kaha

Kashifa :- ab aap log apni tashreef khud le k jayenge yaha se ya phir mein aap logon ko ghar chodh k aau ..

Ye sunte hi dono apne room ki taraf chale gaye ye bol ke k woh packing kar rahe hai .. Kashifa bhi unke peeche hi chali gayi k kahi haweli se kuch utha k na le jaye .. Hall mein sirf shaheer aur uski sauteli behn thi .. jiska nam bhi abhi tak shaheer ko nahi pata tha .. Shaheer uske paas jaa ke kehta hai

Shaheer :- Dekhein mujhe pata hai mujhse ziada aap dad k qareeb the .. aur aap ne hi unki khidmat ki hai hamesha .. mein yaha tha hi nahi .. dad ne apni property mere naam kyu ki mujhe nahi pata .. Par mein aap se kehta hu mujhe na unki property se matlab hai na hi unke paise aur bangle , gadiyon se .. apni pet bharne k liye mein jo kamata hu woh kafi hai mere liye .. Agar aap chahte hai to mein sab kuch abhi aap ke naam kar deta hu .. Aap yehi haveli mein reh k unka buiseness sambhaale ..

Shaheer ne aaj pehli baar ksi se itne izzat aur pyar se baat kiya tha .. woh bhi kisi ladki k sath .. Usey badle mein isi tarah izzat aur pyar se baat karne ki umeed thi ..magar hua bilkul ulat ..

Ladki :- Mujhe nahi chahiye tumhari ye bheek .. Agar unko meri fikar hoti na to khud mere naam karte .. meri beti meri ladli yehi sab sun k badi hui hu mein unke moon se .. Magar akhir apna khoon to apna hi hota hai .. Apni property aur sab kuch tumhare naam kar diya .. Ye tak na socha k mera kya hoga .. agar woh mujhe apni beti samajhti na to aisa na karte mere sath .. Aur tum mujhpe apni daya na dikhao .. Mera family hai ab bhi mere mamu hai .. mein unke paas reh lungi .. Road pe nehi aayi hu property tumhare naam karne pe ...

Ye sun k shaheer ka to ghusse ka thikana nahi rehta .. woh ghusse mein cheekhte hue kehta hai

Shaheer :- Agar aisa hi hai to dafa ho jao yaha se .. Agar tum unki khidmat unke property aur paison k liye karte the to laanat hai tum pe .. Mujhe tum pe rehem nahi aa raha tha .. Mujhe mere dad ka khayal aa ke woh sab kaha tha .. kyu k woh tumse pyar karte the mujhse bhi ziada .. agar apna khoon apna hota na to us waqt dad mujhe nahi maarte teri baat sun k .. tumhein maarte .. magar tum kya samjhoge .. tum to apne mama mami ki tarah laalchi ho .. Property mere naam hote hi tevar badal gaye tumhare .. aur dad k khilaaf bolne lage .. property k baare mein pata chalne se pehle to ro rahi thi unke liye .. Tum me aur tumhare mama mami mein thoda bhi faraq nahi hai samjhey .. ab apne saman bandho aur dafa ho jao yaha se ..

Shaheer ki cheekh sunke Ruqayya aur Naeem bhi room se bahir nikle the .. aur shaheer ki baatein sunke unke bachi kuchi umeed bhi khatam ho gayi .. shaheer waha se sidha chhat pe chala gaya ..aur sigeret nikal k jalaya aur peene laga .. Woh soch raha tha k kya usne sahi kiya uske sath aisa kar ke .. phir usne socha k sahi hi kiya .. woh chhat pe ghoomte hue sigeret pee raha tha tabhi neeche dekhta hai to pata hai .. K Ruqayya , Naeem aur unki bhaanji apne bag le k haveli k bahir nikle aur taxi ka wait kar rahe the ..

Shaheer bahir khade aik driver ko awaz deta hai .. aur unko unke ghar chodh k ane ka kehta hai
.. magar woh log manah karte hai .. Shaheer chup chap sigeret pee k neeche ata hai ..Neeche Kashifa khala naukaron se ghar ki safai kara rahi thi .. Kyu k woh naukron mein nahi thi .. woh sirf shaheer k care taker thi .. shaheer k baad uske sauteli behn k ..

Shaheer sofe pe beth jata hai .. 7 din se usne theek se soya bhi nahi tha .. aur sofe pe bethe bethe hi so gaya .. uski neend tab khuli jab raat k khane k liye kashifa khala ne usey jagaya ..WOh jag k washroom jata hai aur fresh ho ke bahir ata hai .. phir dining table pe beth jata hai jaha khana lagaya hua tha ..
Dining table pe beth k usey uska bachpan yaad ata hai .. Kaise uske mom dad usko apne haathon se khana khilate the .. Khud woh kabhi nahi khata tha uske mom dad hi usey khilate the .. Woh sab yaad ate hi uske aankhein nam ho jati hai .. ye dekh k kashifa khala uske aankhein ponch k kehti hai

Kashifa :- Bs karo beta aur kitna aansu bahaoge .. ab tumhare rone se tmhare dad to wapas nahi ayenge na .. Ab chup ho jao aur khana khao .. acha mein khilata hu apne shehzade ko apne haathon se..

Phir kashifa uske pas chair pe beth k usey apne haathon se khilati hai.. Aaj kitne saal bad shaheer ko itna lazeez khana khane ko mil raha tha .. Nahi to woh khud hi apne liye khana pakata aur khata tha .. Ye nahi tha k woh khud acha nahi banata tha khana .. woh bhi maze k khane pakata hai .. per kashifa khala k hath k khane ka maza hi alag tha .. Kher khana khilane k baad Kashifa usse poochti hai ..

Kashifa :- Beta ab kya socha hai tumne ? Yehi rahoge ya wapis apne city jaoge ?

Shaheer :- Khala mera kal jana zaroori hai .. haan mein har mahine ane ki koshish karunga .. Aap sab yehi rahe aur kisi ko kahi jane na dein .. Mein jald hi waha ka kaam khatam kar ke yaha aunga .. aur dad ka buiseness sambhalunga .. tab tak aap haweli ka khayal rakhein ..

Uske Baad shaheer waha se uth k apne dad k room mein jata hai .. aur waha unke kuch tasweer lage hue the .. woh un tasweeron mein se kuch tasweeron ko nikalta hai aur aik box mein rakhta hai .. phir unke phone laptop sab kuch us box mein rakhta hai .. unke cupboard mein usey aik letter milta hai … abhi woh usey kholne hi wala tha k uske phone pe call ata hai .. woh us letter ko usi box mein rakhta hai ...aur phone ki taraf dekhta hai " Boss " naam k kisi ka call aa raha tha uske phone pe .. Shaheer call attend karta hai Shaheer :- Hello ..

Boss :- ***** Road , pe left side k gali mein andar jaoge to aik old factory hai , usme shamsher kal subah aik boht bada drug dealig karne wala hai .. kal shamsher ka marna zaroori hai..kisi bhi haal mein .. agar kal woh deal kar gaya to phir woh boht powerfull hoga aur uske baad usey marna asan nahi hoga .. thats why you have to do it tomorow ..

Shaheer sochta hai k abhi woh yaha se niklega to subah tak city pohonch jayega .. Woh us box ko uthata hai aur hall mein ata hai aur bahar jane lagta hai to kashifa poochti hai ..

Kashifa :- kaha jaa rahe ho beta itni raat ko .. aur is box mein kya hai ..

Shaheer :- khaala mujhe aik zaroori kam aa gaya hai .. aur abhi nikalna ho ga kal subah tak city pohonchna zaroori hai .. aur is box mein dad k phones aur laptop waghera hai.. aap apna aur haveli ka khayal rakhein mein jald hi ane ki koshish karunga .. aur paise mein aap k account mein bhej dunga .. aap sab servents mein taqseem kar dena ..

Ye keh k shaheer bahir ata hai aur woh box apne gadi mein rakhta hai .. aur city ki taraf badh gaya .. Subah k 6 baje k kareeb woh city pohoncha abhi uske paas tym tha .. Deal 9 baje hone wala tha .. to usne socha kyu na thoda rest liya jaye .. aur phir woh gadi ghar k garage mein khadi kar ke box le k andar jata hai .. aur box apne cupboard mein rakh k bed pe gir jata hai .. aur 8 baje ka alarm laga k so jata hai ..
 

Top