Thriller BEGUNAAH(COMPLETED)

Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
Disclaimer

Ye story puri tarah kaalpnik hai aur kisi bhi insaan ke jeewan ya ghatna se iska door door tak koi sambandh nahi hai. Kahani me maujood paatra aur ghatnaye sab kuch lekhak ki maatra kalpana hai. Is liye sabhi se nivedan hai ki is kahani ko sirf manoranjan maatra hi samjhe aur ise padh kar lutf uthaye.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 01

"Ye le yaha sign kar" Police thane me Inspector Dushyant Varma ne apne policiya andaaz me ek aise shakhs ki taraf kalam badhate huye kaha jo abhi abhi lockup se nikala gaya tha aur ab inspector ke saamne table ke us paar aa kar khada hua tha.

Inspector ke kahne par us shakhs ne bina kuch bole usse pen liya aur table par rakhe register par apne halke halke kaampte hatho se sign kiya. Uske baad wo register par hi pen ko chhod kar ek nazar inspector ki taraf dekha aur fir nazre jhuka li.

"Sale ab dubara aise jurm me pakda gaya." Inspector ne teekhe lahje me kaha____"To is baar aisi aisi dhara laga ke andar karuga ki kabhi salaankho se baahar nahi aa payega."

"Bada dheeth hai sahab." Paas me hi khada ek hawaldaar inspector se mukhaatib ho kar bola____"Ek baar bhi isne apna gunaah qabool nahi kiya. Dekha tha na aapne. Maar kha kha kar adhmara ho gaya tha magar yahi bakta raha ki main begunaah hu. Apni puri zindagi me iske jaisa latkhor aur theeth aadmi nahi dekha maine."

"Ab yu khada kyo hai be.?" Inspector dushyant hawaldaar ki baat par dhyaan diye bina saamne khade us shakhs ko ghudakte huye chillaya____"Kya laat maar ke tujhe baahar bhagana padega.?"

Inspector ki baat sun kar us shakhs ne ek baar fir inspector ki taraf dekha aur fir hawaldaar par ek nazar daalte huye wo baahar ki taraf badh chala. Andaaz aisa tha jaise pairo me ya to menhdi lagi ho ya fir pairo me jaan hi na bachi ho. Waise ye sach to tha ki uske paisro me waisi jaan nahi thi jaise ki normal insaano ke pairo me hoti hai. Aakhir maheene bhar police ne uski achhi khaasi khatirdaari ki thi. Chehre par taav khaye huye nishaan abhi bhi saaf nazar aa rahe the uske.

Thaane se baahar aa kar usne idhar udhar nazre ghumaayi aur ek auto wale ko rok kar usne auto wale ko pata bataya aur auto me baith gaya. Sare raaste wo khamosh raha. Chehre par ek dard use buri tarah rula dene par amada nazar aa raha tha kintu usne jaise badi mushkil se apne andar ke jazbaato ko roka hua tha.

Kareeb pandrah minute baad auto ek makaan ke paas ruka. Us shakhs ne auto se utar kar driver ko paise diye aur fir palat kar us makaan ki taraf badha. Maddhyam size ki boundary par ek maddhyam size ka hi lohe ka gate laga hua tha jise usne khola. Andar aa kar usne makaan ke darwaje ke bagal se lagi door bell bajaayi. Thodi hi der me darwaja khula. Darwaja khulte hi shakhs ek kadam pichhe hat gaya.

"Tu...tum.?" Darwaje ke paas nazar aayi aurat ne us shakhs ko dekhte hi maano gusse me sulag uthi aur naagin ki tarah funkaarte huye boli____"Ab yaha kya lene aaye ho.? Nikal jaao yaha se. Mujhe aise kirayedaar ki koi zarurat nahi hai."

"M..meri baat to sun lo taayi." Shakhs ke hotho se bahut narm kintu dukh me duba swar ubhra____"Bas ek baar taayi. Bas ek baar meri baat sun lo."
"Mujhe tumhari koi bakwaas nahi sunni." Us aurat ne apni badi badi aankho ko aur bhi bada karte huye kaha____"Maine tumhara sara samaan kamre se nikaal diya hai. Use uthaao aur chalte bano yaha se. Agar ek pal ki bhi deri ki to police ko bula kar fir se band karwa dugi samjhe."

Shakhs ne ashaay bhaav se taayi ki taraf dekha. Uske andar ka dard maano ab uski bardaast se baahar hone wala tha magar fir bhi usne khud ko samhaala. Udhar wo taayi use hi ghoore ja rahi thi. Uske chehre ke bhaav bata rahe the ki wo us shakhs ko kachcha chaba lene ki hasrat rakhe huye thi.

"Ye...ye kya kah rahi ho taayi.?" Shakhs ne bhaari awaaz me kaha____"Main bhala is haal me kaha jaauga.? Itna jaldi kaha mujhe rahne ki jagah milegi.? Thik hai agar tum mujhe apne yaha ab nahi rahne dena chaahti to kam se kam ek do din ki mohlat to de do. Taaki main kahi aur rahne ke liye kiraye se kamra khoj lu."

"Do din to kya main ek pal ke liye bhi tumhe apne ghar me nahi rakhugi." Taayi ne sapaat lahje me shakhs ko ghoorte huye kaha____"Shukar manaao ki maine tumhara samaan ghar se baahar nahi fenk diya. Is liye ab apna samaan lo aur foot lo yaha se...aur haan agar tum apni koi safaayi dene ka irada rakhe huye ho to us irade ko apne paas hi rakho. Apne jeewan me pahli baar kisi gair par bharosa kiya tha maine aur uska sila tumne mujhe bahut achhe tarike se de diya hai."

"Bhagwan janta hai taayi" Shakhs ne rundhe huye gale se kaha_____"Ki maine kuch bhi nahi kiya. Mujhe nahi pata ki wo paise...wo gahne jewar mere kamre me kaha se aaye the.? Tum khud socho taayi ki agar main chor hota to kya wo paise aur gahne jewar apne kamre me rakhta.? Nahi taayi...balki main to wo sab le kar yaha se chup chaap nikal jata."

"Baat agar sirf itni hi hoti." Taayi ke chehre par sahsa nafrat ke bhaav numaya hote nazar aaye____"To main tumhe maaf bhi kar deti magar tumne meri bahu ke sath galat karne ki koshish ki...wo to shukar tha ki usne shor macha diya warna tum to meri bahu ki ijjat hi loot lete."

"Nahi taayi nahi." Shakhs ki aankhe jaise usse bagawat kar uthi. Aankho se chhalak kar aanshu uske kapolo tak bah aaye, bola____"Main aisa soch bhi nahi sakta unke bare me. Aap jaanti hain ki main unhe bhabhi maa kahta hu aur maanta bhi hu. Fir bhala kaise main unke sath aisa ghinauna kaam karne ka soch sakta hu.?"

"Neech insaan." Taayi maano gusse se aag babula ho gayi, boli____"Aisa kukarm karne ke baad bhi kahta hai ki tu aisa soch bhi nahi sakta.? Isse pahle ki mujhe aur bhi gussa aa jaye nikal ja yaha se aur kabhi apni manhoos shakal mat dikhana mujhe."

Taayi kahne ke sath hi palat kar andar ki taraf pair patakte huye chali gayi. Wo shakhs wahi par khada apne aanshu ponchhta raha. Abhi ek minute bhi na hua tha ki taayi fir se darwaje par nazar aayi magar is baar uske hath me ek bag bhi tha. Taayi ne ek jhatke se apne hath me liye bag ko shakhs ki taraf dhakel diya.

"Ye le pakad apna bag aur dafa ho ja yaha se." Taayi ne shakhs se kaha aur fir ek jhatke se darwaza band kar liya. Apne paas pade bag ko shakhs ne apni aanshu bhari aankho se dekha aur fir sir utha kar ek baar aasmaan ki taraf dekha. Jaise kah raha ho ki 'Bahut khoob'.

<>•<>•<>

Police thane me us shakhs ke jane ke baad abhi hawaldaar fir se kuch bolne hi wala tha ki inspector ne use chaay magwane ka hukum suna diya. Hukum ka paalan karte huye hawaldaar jaldi se baahar gaya aur thane ke saamne hi road ke us paar chaay ke thele ki taraf dekhte huye awaaz laga kar chaay bhejne ko bola. Chaay ka bol kar hawaldaar fauran hi andar aaya aur inspector ke saamne aa kar ajeeb andaaz se khada ho gaya.

"Pet me jo bhi hai baahar nikaal do bhanu pyare." Inspector ne ek nazar hawaldaar bhanu ki taraf dekhne ke baad kaha_____"Mujhe pata hai ki koi baat tumhare pet ka haajma kharaab karne par amada hai. Is liye jab tak tum use ugloge nahi tab tak tumhe chain nahi aayega."

"Aap kitne samajhdaar hain sahab." Bhanu ne apni batteesi halke se dikhate hue kaha____"Isi liye to har wakt aapki chhaya me rahta hu taaki thodi bahut samajhdaari mujh me bhi aa jaye."

"Maska lagane ki zarurat nahi hai pyare" Inspector ne file se nazar utha kar ek baar fir se ek nazar hawaldaar bhanu par daal kar kaha____"Kaam ki baat karo."
"Sahab wo main us chorkat ke bare me kuch kahna chaahta hu." Hawaldaar ne maano apni awaaz ko prabhaavshali banate huye kaha____"Aur us par aapki raay bhi jaanna chaahta hu."

"Ok fine." Inspector ne file ko band karne ke baad chair ki pichhli pusht par apni peeth tikaate huye kaha___"Kaho kya kahna chaahte ho uske bare me.?"
"Yahi ki maheene bhar saza kaatne ke baad aaj wo yaha se chhoot kar chala gaya." Hawaldaar kuch sochte huye bola____"Use hamne maar maar kar adhmara kar diya magar fir bhi usne ye kabool nahi kiya ki uske kamre se jo paise aur gahne jewar talaashi me paye gaye the wo sab uske hi dwara chori kiye gaye the. Jabki saboot aur gawaah dono hi uske khilaaf the. Ye baat mujhe hajam nahi ho rahi sahab ji."

"Hajam to apne ko bhi nahi ho rahi pyare." Inspector ne cigarette ka gahra kash laga kar uske dhuye ko upar hawa me udaane ke baad kaha_____"Ek taraf sab kuch uske khilaaf tha jisse saaf nazar aaya ki usne mrs babita ki bahu ke sare gahne churaye aur fir unki bahu ke sath galat karne ki koshish bhi ki. Wahi dusri taraf police dwara itni khaatirdaari karne ke baad bhi wo yahi raag alaapta raha ki usne na to paise aur gahno ki chori ki aur na hi mrs babita ki bahu ke sath kuch galat karne ki koshish ki thi."

"Wahi to sahab ji." Hawaldaar bhaanu ne is tarah reaction diya jaise usne koi zabardast point pakda ho, bola____"Wo koi professional chor uchakka nahi tha aur na hi usme aisi koi baat nazar aayi thi. Iske baavjud usne itni yaatnaye jheli. Dusra koi hota to maar ke dar se kuch der me kabool kar hi leta ki haan usi ne wo sab kiya tha..bhale hi usne na kiya raha ho. Magar ye pattha to apni hi baat par ada raha sahab ji. Kya lagta hai aapko.?"

"Filhaal to kuch bhi ho sakta hai pyare." Inspector ne cigarette ka aakhiri kas liya aur fir cigarette ke tukde ko apne pair ke niche gira kar kuchalte huye kaha____"Aisa is liye kyo ki iske pahle ham sirf us shakhs par hi focus kar rakhe the. Magar itna kuch hone ke baad aur last me uske jane ke baad bhi jab sach nazar nahi aaya to ab sochne ka nazariya badlana yakeenan tark sangat hai."

"To aapko kya lagta hai sahab ji.?" Hawaldaar bhanu tapaak se bol pada____"Ye to zaahir hi hai ki wo shakhs begunaah hai. Ji haan ab to use begunaah hi kahege na sahab ji.? Kyo ki usne bhale hi jurm ko nahi kabula magar saza to kaat hi li usne."

"Saza kaat lene se wo begunaah kaise ho gaya pyare.?" Inspector ne kaha____"Saza to use tabhi mili na jab wo gunahgaar saabit hua tha.? Sare saboot uske khilaaf the. Ye alag baat hai ki usne kisi vajah se apna jurm kabool nahi kiya. Hame sirf ye jaanna hai ki usne kis vajah se us jurm ko kabool nahi kiya.? Dusri baat agar ham ye maan le ki usne sach me koi gunaah nahi kiya tha to uske sir par ye ilzaam kaise lag gaye.? Uske kamre me mrs babita ki bahu ke paise aur gahne jewar kaha se pahuch gaye.? Sabse badi baat ye ki mrs babita ki bahu komal ne us par ye ilzaam kyo lagaya ki avinash ne uske sath zor zabardasti karne ki koshish ki aur agar wo shor na machati to wo uski ijjat loot leta.? Ye aise sawaal hain pyare jo ab uth rahe hain aur hamare dimaag me uchhal kood machane lage hain."

"Mera to dimaag chakrane laga hai sahab ji." Hawaldaar ne apne maathe par hatheli ragadte huye kaha____"Ek taraf wo namuraad avinash hai jo last tak yahi raag alaapta raha ki usne kuch nahi kiya dusri taraf mrs babita aur unki bahu cheekh cheekh kar kahti rahi ki usne wo sab kiya tha. Baat agar sirf paise aur gahne jewar ki hoti to samajh me bhi aata magar koi aurat apni hi ijjat ko is tarah kyo bewajah uchhaal kar khud ko aur apne pariwar ko badnaam karegi.?"

"Point to hai pyare." Inspector ne gahri saans lete huye kaha____"Chhota mota nahi balki bada point hai. Ab is baat par zara gaur karo ki agar ye maan le ki mrs babita aur uski bahu ne avinash par jhutha ilzaam lagaya aur use police ke hatthe chadhwa diya to sawaal hai ki aisa unhone kyo kiya hoga.? Aakhir aisa karke unhe avinash se kya haasil ho gaya hoga.? Taftees to hamne bhi ki thi aas pados wale se. Sabka yahi kahna tha ki avinash bahut hi shaant aur apne kaam se matlab rakhne wala aadmi tha. Kisi factory me kaam karta tha. Subah time se jata tha aur shaam aath baje aata tha. Khana pina wo baahar hi kha leta tha. Apne kamre me wo raat me sota tha aur subah uth kar fir se apne kaam par chala jata tha. Do mahine pahle aaya tha wo aur tab se aaj tak kabhi bhi kisi ne uske bare me koi bhi faaltu ki baat nahi suni thi." Inspector ne pal bhar rukne ke baad fir se kaha____"Taftees to karni hi padi bhanu pyare. Itni marammat ke baad bhi jab us namune ne jurm kabool nahi kiya to hamare dimaag me ye vichaar bhi aaya ki kahi ye sach me begunaah to nahi aur bewajah hi ham iski khaatirdaari kiye ja rahe hain. Khair chhodo pyare....ham ye kah rahe hain ki poin to hai..aur gadbad bhi hai."

"Kaisi gadbad sahab ji" Hawaldaar bhanu ne na samajhne wale bhaav se apne aala officer ki taraf dekha.
"Kuch to gadbad zaroor hai pyare." Inspector ne sir hilate huye kaha____"Aur ab is gadbad ka pata karna hi padega. Aakhir pata to chalna hi chahiye ki ye kya chakkar tha jisme ek pariwar ki saas bahu ne apni ijjat tak uchhaal di aur ek namuraad ne apni haddiya tudwa li."

"Lagta hai haajma durust hone ka time aa gaya hai sahab ji." Hawaldaar ne ek baar fir se apni batteesi nikaal di.
"Bilkul pyare." Inspector kahne ke sath hi chair se uth khada hua aur table se utha kar apni topi ko sir par lagaya. Uske baad bhanu ki taraf dekhte huye kaha____"Tum to hamare sath hi chipkoge is liye mana karne ka koi faayda nahi. To chalo apna haajma durust karte hain."

Inspector dushyant ki baat sun kar hawaldaar bhanu khi khi kar ke hasne laga aur inspector ke chalte hi uske piche piche shaan se chal pada.

<>•<>•<>

Shaam hone wali thi.
Din bhar ki bhaag daud ke baad aakhir us shakhs yaani avinash ko ek jagah rahne ke liye ek kamra kiraye se mil hi gaya. Kabhi paidal to kabhi auto se safar kar ke wo buri tarah thak gaya tha. Peeth par lada hua bag jisme uske kuch kapde aur kuch zaruri samaan thusa hua tha. Uska bojh pratipal jaise badhta hi ja raha tha. Bhookh se bura haal to hua tha magar usne pet pooja karne ki bajaay rahne ke liye kiraye ka kamra khojne ko zyada mahattwa diya tha.

District wahi tha bas jagah badal gayi thi. Halaaki wo us jagah ke kareeb ab rahna bhi nahi chaahta tha kyo ki uski chhavi waha par bigad chuki thi. Jo log pahle use ijjat ki nazar se dekhte the wo ab use hikarat bhari dristi se dekhne wale the aur ye baat wo achhi tarah samajhta tha. Babita taayi use agar apne ghar me rahne bhi deti tab bhi wo waha nahi rukta kyo ki apni bigdi huyi chhavi ke sath wo sukoon se waha nahi rah sakta tha. Uska apna zameer use chain se sone nahi deta. Haalaki zameer to use kahi bhi chain se sone dene wala nahi tha magar man me ek chhoti si hi sahi magar ye tasalli wali baat to thi hi ki dusri jagah ke log uske bare me kuch nahi jaante hain.

Advance me maheene bhar ka kiraya jama karne ke baad hi use kamra mila tha. Haalaki aisa to har jagah hota hai magar problem tab hoti hai jab aapke paas advance me dene ke liye kiraye ke paise nahi hote. Khair ye jagah pahle wali jagah ki tarah uske liye behtar to nahi lagi magar fir bhi usne ye soch kar isi jagah par kamra liya tha kyo ki ek to din bhar ka thaka hua tha wo aur dusre andar se thoda dukhi bhi tha. Dusri baat ye thi ki use kaun sa kisi se koi matlab rakhna tha.

Jaha par use kamra mila tha wo do manjila makaan tha. Jiske ground floor me makaan maalik aur uska pariwar tha. Uske pariwar me khud wo jo ki pachaas ke paar ka tha aur uski dusri biwi jo usse umar me pandrah baras chhoti thi. Pahli biwi mar chuki thi aur usse use ek beti thi jo ab jawaani ki dehleez par thi. Dusri biwi se do bachche the jo umar me abhi kachche the.

Upar ke floor par jane ke liye main gate se enter karte hi bagal se seedhiya lagi thi. Upar ke floor par do kamre the jisme ek store room tha aur ek room wo jisme ab avinash rahne wala tha. Upar dono kamro ke saamne baaki ka chhat tha jisme ek taraf toilet bana hua tha.

Avinash ke paas samaan ke roop me bas uske kapde the aur bag me kuch aur zaruri samaan tha. Kuch kitaabe thi jinhe wo free time me padhta tha. Khair kamre ki safaayi use khud hi karni padi. Kamre me koi bed nahi tha. Ye dekh kar uske hotho par pal bhar ke liye feeki si muskaan ubhri thi. Jaise soch raha ho ki kya kismat hai aur kya ittefaaq hai ki har jagah use farsh par hi sona likha hai. Aisa nahi tha ki wo apne sone ke liye bed nahi le sakta tha magar use apni kismat par zara bhi bharosa nahi tha. Wo khud ko dharti ka sabse bada bojh maanta tha...jisme jine ki koi chaah nahi thi. Suicide is liye nahi karta tha kyo ki wo khud ko mara hua hi maanta tha.

Saaf safaayi kar ke usne thodi der farsh par let kar araam kiya aur fir khud ko fresh karne ke liye wo upar hi bane us toilet me chala gaya. Adhe ghante baad wo kapde pahan kar kamre se baagar nikla aur darwaje par tala laga kar wo seedhiyo se niche ki taraf chal diya.

Jaise hi wo antim seedhi par aaya to andar se makaan maalik bhi main gate ki taraf aaya. Dono ki aapas me nazre mili. Makaan maalik to use dekh kar muskuraya magar avinash ek nazar dekhne ke baad gate se baahar ki taraf chal diya. Uska ye bartaav makaan maalik ko thoda ajeeb laga magar usne ye socha ki shayad use kisi baat ka tention hoga is liye ignore kiya aur khud bhi uske piche baahar aa gaya.

"Aree beta suno zara." Gate se baahar aate hi makaan maalik ne avinash ko awaaz di to wo ruk gaya aur palat kar makaan maalik ki taraf dekha. Jabki uske kareeb pahuch kar makaan maalik ne kaha____"Kahi ja rahe ho kya.?"

"Ji wo khana khane ja raha hu." Avinash ne bilkul sapaat lahje me kaha.
"Khana khane.?" Makaan maalik ke chehre par chaunkne ke bhaav ubhre____"Par beta khana khane baahar kaha ja rahe ho.?"

"Ji yaha koi dhaba to hoga hi." Avinash ne poorv ki bhaanti hi sapaat bhaav se kaha____"Wahi khana khaauga. Achha ab chalta hu."
"Are dhabe me kyo khaoge beta.?" Makaan maalik use palat'ta dekha to jaldi se bol pada____"Hamne to tumhare liye bhi khana bana lene ko bol diya hai ghar me. Is liye hamare sath hi kha lena."

"Ji shukriya aapka." Avinash ne is baar bechaini se kaha____"Magar main hamesha baahar hi khana khata hu. Aapne bewajah hi mere liye khana banane ka bol diya hai."
"Ab bol diya hai to aaj kha lo beta." Makaan maalik ne prem se kaha____"Kal se baahar hi kha liya karna. Waise main to yahi salaah duga ki baahar ka khana mat khaya karo. Apne ghar ka ya apne hath ka bana khana hi khaya karo. Kyo ki baahar ke khane me milawat badi hoti hai jo sehat ke liye thik nahi hai."

Avinash ko apne makaan maalik ki baat na chaahte huye bhi maanni hi padi. Usne makaan maalik ko haan kaha aur fir waapas upar apne kamre me chala gaya. Use makaan maalik par nahi balki apne aap par gussa aa raha tha ki usne khane ke liye haan kyo kaha.?

Kamre ke farsh par wo aankhe band kiye pada hua tha. Band palko me bahut si tasveere nazar aa rahi thi jo kuch dhundhli si bhi thi aur kuch saaf bhi. Lockup me band police dwara apni kutaayi aur taayi(mrs babita) aur uski bahu komal ka use police ke hawale karna. Us par ye aarop lagana ki usne unke paise aur gahne chura kar apne kamre me chhupaye the. Itna hi nahi komal ke sath zor zabardasti kar ke uski ijjat lootne ki koshish bhi ki thi. Ye sab yaad kar ke wo buri tarah byathit ho raha tha.

Avinash ko samajh nahi aa raha tha ki jab usne aisa kuch kiya hi nahi tha to un dono ne us par aise ilzaam laga kar use police ke hawale kyo kar diya tha.? Aakhir is sabke pichhe kya vajah ho sakti hai.? Uske sath hamesha aisa hi case kyo hota hai.? Kyo har do maheene baad use isi tarah ke halaato se guzarna padta hai.? Uske baad fir use dusri jagah par rahna padta hai. Ye sab uske sath pichhle ek saal se ho raha tha magar har case me sirf kirdaar badalte the baaki case aisa hi hota tha. Use samajh nahi aata tha ki uske sath ye kaun sa khel khel raha tha bhagwan.?

Wo akele me hamesha yaad karne ki koshish karta tha ki kya sach me usne aisa kuch kiya tha jiske liye use baar baar ye sab bhugatna padta tha magar laakh koshisho ke baavjud use aisa kuch yaad nahi aata tha. Shuru shuru me use lagta tha ki koi use bewajah hi fasa raha hai magar jab aise kayi case uske sath huye to use ye sochne par majbur ho jana pada ki kahi ye sab sach to nahi.? Kahi sach me to maine wo sab nahi kiya.? Aakhir har ilzaam dene wala jhootha to nahi ho sakta...magar jab mujhe yaad hi nahi ki maine aisa kuch kiya hai to main kaise maan lu aur kaise kabool kar lu.?????

Avinash hamesha apne ateet me jhaankne ki koshish karta tha magar waha use kuch bhi nazar nahi aata tha. Uske anusaar wo is duniya me akela tha aur is dharti par uska apna koi nahi tha. Dar dar ki thokaro ne aur uski aisi kismat ne usko itna nirashawadi bana diya tha ki wo ab khud ko is dharti ka bojh samajhne laga tha. Uske andar na kisi cheez ki khwaahish thi, na koi armaan tha aur na hi kisi ki chaahat me jine ki chaah thi. Wo to bas jaise apni chalti firti laash ko ye soch kar dho raha tha ki jis din wakt pura ho jayega to koi use ya to kahi dafan kar dega ya fir jala dega ya fir aise hi kahi fenk dega jaha par pada wo sadega aur us par keede gijbijayege.

Darwaje ko kisi ne baahar se khatkhataya to avinash socho ke athaah sagar se baahar aaya aur uth kar darwaja khola to dekha makaan maalik tha. Wo avinash ko khana khane ke liye bulane aaya tha. Khair avinash ne darwaje ko baahar se kundi lagaya aur makaan maalik ke sath chal diya.

Niche andar ki taraf ek chhota sa hall tha jaha par pahle se hi kursi table laga hua tha. Table ke dusri taraf do kursiya rakhi huyi thi jabki is taraf ek hi kursi thi. Makaan maalik ne avinash ko us akeli kursi ki taraf ishara karte huye baithne ko kaha aur khud saamne wali kursi par baith gaya.

Avinash ko jaise baaki kisi baat se koi matlab nahi tha. Wo chup chaap baitha tha. Makaan maalik usi ki taraf dekhte huye kuch soch raha tha. Shayad wo samajhne ki koshish kar raha tha ki uske yaha naya naya aaya kirayedaar asal me kis kism ka praani hai. Wo nayi jagah par swabhaavik roop se chup hai ya fir uski khamoshi ke pichhe koi badi vajah hai.

"Maaf karna beta." Makaan maalik ne fiza me chha gaye sannate ko cheerte huye kaha___"Maine abhi tak tumse tumhara naam tak nahi puchha. Halaaki hamare bich der sawer jaan pahchaan ho hi jayegi."

"Avinash." Avinash ne sapaat bhaav se kaha jise sun kar makaan maalik ko thoda ajeeb to laga magar usne kaha kuch nahi jabki avinash ne aage kaha___"Mera naam avinash hai. Aapko bata du ki mujhe kisi se bhi zyada baate karna aur ghulna milna pasand nahi hai. Ho sakta hai ki aapko meri ye baat achhi na lage magar sach yahi hai."

"Apna apna swabhaav hota hai beta." Makaan maalik ne halki muskaan ke sath kaha____"Aur kuch wakt aur halaat ke madde nazar se bhi insaan ka aisa swabhaav ban jata hai jiske tahat insaan kisi se baate karna ya ghulna milna pasand nahi karta. Khair chhodo beta aur haan mujhe tumhari koi bhi baat buri nahi lagegi. Tum mujhe Chacha bula sakte ho...Mahesh chacha."

Abhi avinash mahesh ki baat par kuch bolne hi wala tha ki tabhi waha par ek aurat aayi aur mahesh ke bagal wali kursi par baith gayi. Avinash ne bas ek pal ke liye uski taraf dekha uske baad usne mahesh ki taraf dekhte huye kaha_____"Abhi aur kitna wakt lagega chacha khane ko aane me. Asal me mujhe jaldi so jane ki aadat hai aur subah jaldi apne kaam par jane ki bhi."

"Bas do minute aur." Avinash ke sawaal ka jawaab mahesh ke bagal se baithi aurat ne bade namra swar me diya, boli_____"Waise kya kaam karte ho beta tum.?"

"Ye meri dharam patni hai avinash beta." Avinash kuch bolta usse pahle hi mahesh bol pada____"Tum soch rahe hoge ki main to buddha nazar aata hu aur ye thoda jawaan to beta iski vajah ye hai ki ye meri dusri patni hain."

"Kyo sarasar jhooth bolte ho ji.?" Aurat ne aankhe dikhate huye apne pati mahesh se kaga____"Main bas thoda jawaa hu.? Are tumhari beti se bas thoda hi badi hu warna abhi meri umar hi kya huyi hai.? Baat karte hain."

"Haan thik hai bhai." Mahesh ne jaise swikaar karte huye kaha____"Tum abhi bahut jawaan ho, ab khush.?"
"Wo to main hu hi." Aurat ne badi ada ke sath kaha aur halke se muskura uthi. Avinash is tarah react kar raha tha jaise uske saamne koi ho hi nahi. Tabhi uski nazar baye taraf se aati ek khubsurat ladki par padi magar fir usne apni nazar us par se hata li.

Wo ladki mahesh ki pahli biwi ki beti Shalini thi. Hath me khane ki thaali liye wo aayi aur table par avinash ke saamne rakh diya. Aise hi wo ek ek karke thaali laayi aur apne pita aur sauteli maa ke samne rakh diya. Mahesh ne is beech bina puche hi avinash ko apni beti ka tarruf karaya. Jiske jawaab me avinash kuch na bola. Balki usne thaali lagte hi khana shuru kar diya tha. Pure time mahesh aur uski dusri biwi gayatri hi baate karte rahe jabki avinash chup chaap bina un dono ko dekhe khata raha.
Khana khane ke baad avinash waapas apne kamre me chala gaya tha. Uske rookhe byohaar ko dekh kar mahesh ne to koi react nahi kiya magar gayatri ko bada ajeeb laga tha aur usne is bare me mahesh se bolna chaha to mahesh ne jane do kah kar use chup kara diya tha.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 02

Inspector dushyant varma apne muh bole hawaldaar bhanu ke sath us makaan ke saamne pahucha jiske darwaje ke paas hi mrs babita abhi abhi nazar aayi thi. Police inspector ke sath ek hawaldaar ko dekh kar unke chehre par sochne wale bhaav ubhre. Unhone saaf dekha ki wo dono uske kareeb hi aa rahe the. Kuch pal ke liye mrs babita ka man vichlit hua, ye soch kar ki ab ye kis kaam se yaha aa rahe hain.

Aas pados wale to waise bhi sab jaan chuke the. Haalaki sara ilzaam avinash par hi gaya tha aur police ne band bhi kar diya tha use magar unhe bhi pata tha ki chhuri chaahe kheere par gire ya kheera khud chhuri par gire magar dono situation me katna kheere ko hi padta hai. Kahne ka matlab ye ki bhale hi avinash par ilzaam lage the aur wo police lockup me pahuch gaya tha magar iske baavjud samaaj ke log peeth peechhe un par sawaal ya ungli uthate hi honge.

"Kaisi hain mrs babita ji.?" Inspector ne apni awaaz ko madhur banate huye mrs babita se kaha. Ye alag baat thi ki uske lahje me tanj ka bhaav bhi chhipa hua tha, bola____"Aisa lagta hai jaise ham par nazar padte hi aapka man aprasannata se bhar gaya hai.."

"Aisi koi baat nahi hai inspector sahab." Mrs babita ne apne bhaavo ko chhupane ki koshish karte huye kaha____"Kahiye kaise aana hua aapka.?"
"Ham apne aane ka sabab." Inspector ne fir usi lahje me kaha____"Agar aapke ameerkhane ke andar chal kar bataye to mujhe nahi lagta ki isse aapko koi airaaz hoga." Kahne ke sath hi inspector ne hawaldaar bhanu ki taraf dekha aur fir bola____"Kya kahte ho pyare.?"

"Aapne bilkul sahi farmaya sahab ji." Hawaldaar ne apne daant faadte huye kaha. Udhar inspector ki baat par mrs babita ne kuch pal sochne ke baad un dono ko andar aane ka ishara kiya aur khud andar ki taraf chal padi.

Thodi hi der me inspector aur hawaldaar bhanu mrs babita ke pichhe pichhe andar pahuche. Makaan teen manjila tha aur mrs babita jo ki govt service me thi aur vidhwa bhi thi unhone ghar ko achhe se maintain kiya hua tha. Unka beta out of india rahta tha aur wahi service karta tha jabki bahu komal apni saas ke sath hi rahti thi. Komal ki shadi huye abhi do saal hi huye the magar abhi tak koi aulaad na huyi thi. Khair mrs babita ne inspector dushyant aur hawaldaar ko sofe par baithne ka ishara kiya to wo dono hi baith gaye.

"Kya lena pasand karenge inspector sahab." Mrs babita ne namrata se puchha_____"Chaay ya cold drink.?"
"Aapki marzi babita ji." Inspector ne kaha___"Hame to jo mil jayega ham le lenge."

Inspector ki baat par jaha hawaldaar muskura utha wahi mrs babita ne apni bahu komal ko awaaz de kar do cold drink lane ko kaha aur khud saamne wale sofe par baith gayi. Kuch aupchaarik baato ke bich hi komal tray liye aayi aur center table par rakh diya. Tray me cold drink se bhare kaanch ke do glass the jinhe inspector aur hawaldaar ne baari baari se utha liya. Udhar tray rakhne ke baad komal bhi apni saas ke bagal se wahi baith gayi.

"Ab bataiye inspector sahab." Mrs babita ne inspector ki taraf dekhte huye kaha____"Yaha aane ka kast kis liye kiya aapne.?"
"Waaah maza aa gaya mrs babita ji. Sach me ab andar kuch thandi thandi feeling aa rahi hai." Inspector ne aadha glass cold drink pine ke baad kaha____"Kya lagta hai aapko...by the way.?"

"Kya matlab.?" Mrs babita ke maathe par shikan ubhar aayi.
"Yahi ki hamne yaha aane ka itna bada kast kyo kiya hoga.?" Inspector ne ajeeb bhaav se kaha___"Waise itna to aap bhi samajhti hi hongi ki ham yaha aapse sirf hello haye karne to aaye nahi honge to fir bataiye kya lagta hai aapko.?"

"Mujhe nahi pata." Mrs babita ko inspector ka ye sawaal aur uska lahja zara bhi pasand nahi aaya tha. Fir bhi apne andar ke bhaavo ko chehre par ujaagar hone se bachate huye namrata se kaha____"Aap khud hi bata de to meharbaani hogi."

"Meharbaani to ham zarur karenge mrs babuta ji magar." Inspector ne khaas andaaz se kaha___"Magar shart ye hai ki badle me aapko bhi ham par meharbaani karni hogi."

"Main bhala aap par kya meharbaani karugi.?" Mrs babita ne chaunkte huye kaha____"Dekhiye saaf saaf kahiye jo bhi kahna hai aapko. Yu baato ko gol gol ghuma kar baat mat kijiye mujhse."

"Thik hai jaisi aapki marzi." Inspector ne kandhe uchkaate huye kaha____"Jaha tak mera khayaal hai to aapne ab tak apne us kirayedaar ko yaha se futaas ki goli de di hogi, ye kah kar ki aise insaan ko ab aap apne ghar ke aas paas bhi dekhna pasand nahi karengi aur wo bechara futaas ki goli kha kar yaha se nikal bhi liya hoga. Marta kya na karta waali haalat jo thi uski. Agar nahi jata to fir se aapke dwara lockup me pahuch jata. Maine thik farmaya na mrs babita ji.?"

"Main us neech aadmi ke bare me baat nahi karna chaahti inspector sahab." Mrs babita ne is baar zara teekhe lahje me kaha____"Aur behtar hoga ki aap bhi uske bare me mujhse koi baat na kare."

"Kaise na kare mrs babita ji.?" Inspector ne jaise aah si bhari____"Der se hi sahi magar hame ye bhi samajh aaya ki itna maar khane ke baad bhi wo namuraad ye kyo nahi kabool kar raha tha ki us par jo aarop aap logo ne lagaye the wo 100% sach hai.?"

"Kahna kya chaahte hain aap.?" Mrs babita ki peshaani par bal pada, boli____"Kya ab aap ye soch rahe hain ki wo neech insaan begunaah tha aur hamne us par bewajah jhutha ilzaam lagaya.? Aisa sochna bhi mat inspector sahab. Ham koi aire gaire pariwar se nahi hain. Ye ijjatdaar logo ka ghar hai jo yu hi bewajah apni hi ijjat ko samaaj ke saamne uchhaal kar apna sukh chain nahi barbaad kar dega."

"Yahi to pench hai babita ji." Inspector ne aise muh banaya jaise us par koi bhaari musibat aa gayi ho aur wo usse behad aahat ho gaya ho, bola____"Aap kahti hain ki usne aapke yaha chori ki aur aapki bahu komal ji ke sath zor zabardasti bhi ki jabki wo namuraad hamare dwara di gayi itni yaatnaao ke baad bhi yahi raag alaapta raha ki usne kuch bhi nahi kiya. Yaani ki na to usne chori ki aur na hi usne komal ji ke sath koi zor zabardasti ki hai. Maar se to bhoot bhi darte hain babita ji. Police ki maar se achhe achhe apna muh faad dete hain aur aisa bhi hota hai ki jo log jurm nahi bhi kiye hote wo bhi maar ke dar se bolne lagte hain ki haan unhone fala jurm kiya hai. Magar wo namuraad maar khata raha...magar us kambakht ne pal bhar ke liye bhi ye kabool nahi kiya ki usne koi galat kaam kiya tha. Mana ki use saza mili aur usne puri saza kaat li. Yaha tak ki aaj wo apni saza kaat ke bari bhi ho gaya magar hamare saamne sawaal to chhod gaya na ki jab usne kuch nahi kiya to kisne kiya.? Aapke yaha kisne chori ki aur komal ji ke sath kisne zor zabardasti ki aur kisne use fasaya.?"

"Ohh to matlab agar us neech aadmi ne apna jurm kabool nahi kiya to." Mrs babita bol padi___"Ab aap ye kah rahe hain ki hamne use jhuth muth ka ilzaam laga kar aapke hawale kiya tha.?"

"Maine aisa kab kaha babita ji.?" Inspector ne apne kandho ko uchkaate huye kaha____"Main to wo bata raha hu aapko jo hua hai aur jo kuch hone ke baad ab samajh aa raha hai. Maan lijiye ki aap apni jagah sahi hain aur aapke ilzaam bhi apni jagah sahi hain...usi tarah ye bhi maan lijiye ki wo avinash bhi apni jagah sahi hai to sawaal ye hai ki aisi ghinauni waardaat ko anjaam kisne diya.? Aapko apni badnaami kara ke kya mil gaya aur use bhi apni badnaami aur durgati kara ke aur to aur saza kaat ke bhi kya mil gaya.?"

"Aap na jane kya kya anaap shanaap bole ja rahe hain inspector sahab." Sahsa is baar mrs babita ki bahu komal teekhe lahje me bol padi____"Jab ki sachchaayi ye hai ki us kamine ne meri aalmaari se paise aur gahne jewar churaye aur mere sath zor zabardasti kar ke meri ijjat lootne ki koshish ki thi aur ye baat main bewajah apni aur apne pariwar ki ijjat uchhalne ke uddesya se nahi kah rahi hu balki ye hakikat hai aur meri saasu maa is baat ko achhi tarah jaanti hain. Us raat jab wo kameena mere sath zor zabardasti kar raha tha tab maine shor machaya tha aur meri cheekhe sun kar meri saasu maa apne kamre se bhaagte huye mere kamre me aayi thi aur unhone apni aankho se sab kuch dekha tha. Ab aap bataiye kya main aur meri saasu maa jhooth muth ka uske upar ilzaam lagaayi thi. Us kameene ka kya bigad gaya jabki ham to pure samaaj me badnaam ho ke rah gaye. Kya ye sab bhi jhooth hai.?"

Komal ki baato se kuch der ke liye waha par maano khamoshi chha gayi. Inspector bade gaur se uski baate sun raha tha aur uske chehre par ubharte bhaavo ko read kar raha tha. Use kahi se bhi ek pal ke liye bhi mahsoos nahi hua ki wo jhuth muth ki kahani gadh rahi hai. Uske chehre ke bhaav aur uske aanshu saaf saaf bata rahe the ki wo sach kah rahi thi. Inspector ko samajh na aaya ki wo in sab baato par kya faisla kare.

"Ek kaam kijiye komal ji." Inspector ne gahri saans lene ke baad komal se kaha____"Aap apne tarike se mujhe puri kahani bataiye."
"Ye koi mazaak hai kya inspector sahab.?" Mrs babita ne narazgi se kaha____"Ya ye koi dilchasp kissa hai jise aap baar baar sun kar uska lutf uthana chaahte hain. Jabki maine khud shuruaat me hi aapko sab kuch bata diya tha."

"Aapne bataya tha to maine use giraftaar bhi to kiya tha mrs babita ji." Inspector ne kaha_____"Aur itna hi nahi uske sath waisa hi sulook kiya jaisa kisi mujrim ke sath kiya jata hai magar ab halaat badal gaye hain. Halaato ne mujhe ye sochne par majbur kar diya hai ki usne apne jurm ka ikbaal kyo nahi kiya.? Police ki itni dardnaak maar aur maheeno ki kaid sahna usne gawara kar liya magar wo kabool nahi kiya jiske liye use itna kuch bhogna pada. Aakhir kyo babita ji.? Chaliye maan lete hain ki wo koi ziddi nature ka tha ya koi uski majburi rahi hogi magar sawaal to hai na ki aisi kya majburi thi.? Jab tak in sawaalo ka sahi sahi jawaab nahi milega tab tak na mujhe chain milega aur na hi aapko.?"

"Hame kyo chain nahi milega inspector.?" Mrs babita ki aankhe faili____"Waise thik hi kaha aapne. Chain waakayi me nahi milega hame. Jis tarah ka apraadh usne kiya tha uske liye ye saza bahut hi kam rahi. Mera bas chalta to goli maar deti use. Tabhi shayad chain milta hame."

"Nazariye ki baat hai babita ji." Inspector ne halki muskaan ke sath kaha_____"Zara ek baar is nazariye se sochiye ki goli maarne ke baad jab aapko pata chalta ki usne to waisa koi apraadh kiya hi nahi tha jiske liye aapne use goli maar di tab kya aap use waapas zinda kar deti.? Hargiz nahi...tab aap kuch nahi kar paati balki hota ye ki ek begunaah ki hatya ka bojh saari zindagi aapko chain se jeene nahi deta."

"Baato ka jaal bunne ka koi faayda nahi hai inspector sahab." Mrs babita ne kaha_____"Kyo ki sachchaayi to hame pata hi hai ki kya hai. Iske pahle to aisi koi soch aapke man me nahi aayi thi magar ab uske dwara ikbaale jurm na kiye jane se aap jane kya kya soche ja rahe hain."

"Ham police wale hain babita ji." Inspector ne muskurate huye kaha____"Aur hame aisa bana diya jata hai ki ham do cheezo ke sabse zyada aadi ho jate hain. Ek shak karne ke aur dusre sochne ke. Khair chhodiye mujhe komal ji ke mukh se sunna hai ki kya hua tha us raat. Ya fir waha se bataiye jaha se avinash ki entry aapke ghar me huyi thi."

Inspector ki baat par komal ne apni saas mrs babita ki taraf dekha. Mrs babita se apni palke jhapka kar maano ijazat de di. Saas ki ijazat milne ke baad komal ne ek gahri saans li aur fir bolna shuru kiya.

<>•<>•<>

"Do maheene pahle wo hamare yaha kiraye se rahne aaya tha." Komal ne is tarah bolna shuru kiya maano uski aankho ke saamne do maheene pahle se ab tak ki koi video film chalne lagi ho, jise dekh dekh kar wo uska ek ek scene bata rahi ho, boli____"Mera to usse koi matlab rakhne ka sawaal hi nahi tha. Usne maa ji se hi baat ki thi kiraye se ek kamra lene ke liye. Is ghar me main aur saasu maa hi rahte hain. Maa ji ne usse uske bare me thodi bahut maalumaat ki aur use kiraye se ek kamra de diya jo ki second floor par tha. Upar ke floor me jane ke liye baahar wale gate ke andar se hi seedhiya thi jabki dusri seedhiya is taraf se bhi thi. Ye sach hai ki do chaar din me hi hame ye samajh aane laga tha ki ham jis ajnabi aur gair mard ke yaha rahne se thoda khud ko asahaj mahsoos karne lage the wo aisa waisa type ka nahi hai. Kahne ka matlab ye ki wo bhale hi yaha rahta tha magar khud kisi se koi baat nahi karta tha. Subah aath baje wo apne kisi kaam se chala jata tha aur fir raat aath ya saadhe aath baje waapas aa kar upar apne kamre me chala jata tha. Ham dono isse sahaj to huye magar man me uske prati shak abhi bhi tha is liye ham uske yaha rahne par raat me satark rahti thi. Aise hi das din guzar gaye. Ek din maa ji ne mujhse kaha ki lagta hai ham bekaar me hi us bechare par shak kar rahe hain jabki usme aisi waisi to koi baat nazar nahi aa rahi. Khair agle din maa ji ne subah hi usse baat ki aur kaha ki aaj ghar me puja hai to wo raat ka khana hamare sath hi khaye. Usne maa ji ke prastaav ko sun kar pahle to ye kah kar thukra diya ki wo hamesha baahar hi khana khata hai aur kisi se na zyada baat karta hai aur na hi kisi se ghulna milna pasand karta hai. Uski is baat se maa ji ko laga wo bekaar me hi us par itne dino se shak kar rahi thi jabki in das dino me usne ek baar bhi ham dono saas bahu ko nazar utha kar nahi dekha tha. Khair maa ji ke zor dene par aakhir use maa ji ka khane ka prastaav accept karna hi pada."

Komal ne ekdam se bolna band kar diya to ek baar fir se waha par khamoshi chha gayi. Inspector dushyant aur hawaldaar bhanu bade gaur se uski baate sun rahe the. Jab komal ne bolna band kar diya to utsuktawas bhanu puch hi baitha ki aage kya hua.?

"Raat me wo hamesha ki tarah apne time par hi waapas aaya." Bhanu ke puchhne par komal ne lambi saans kheenchte huye kaha_____"Main aur saasu maa uske aane ka hi intzaar kar rahe the. Jab wo aaya to maa ji ne usse kaha ki wo fresh ho kar aaye, uske baad ham sab sath me hi khana khayege. Maa ji ki baat sun kar usne bas 'Ji' kaha aur upar apne kamre ki taraf chala gaya. Idhar maine sab kuch intjaam karke dining table par saja diya tha. Kareeb das minute baad wo upar se aaya to maa ji ne use dining table ke left side baithne ko kaha to wo chup chaap baith gaya. Maa ji front ki chair par baithi huyi thi aur main unke right side wali chair par baith gayi. Ek tarah se ab main us shakhs ke saamne hi thi. Khair maa ji ne khud apne hatho se uski thaali me khane ke alag alag byanjan parose. Jab sabki thaali me khana lag gaya to ham sabne khana shuru kiya. Main uski taraf nahi dekhna chaahti thi kyo ki ek to mujhe uncomfortable feel ho raha tha dusre main nahi chaahti thi ki uski taraf dekhne se wo ya maa ji mere bare me kuch alag tarah se sochne lage. Aakhir meri aur uski umar me zyada fark bhi to nahi tha, dusre main ek aisi shadi shuda aurat thi jiska pati pichhle ek saal se india ke baahar tha. Khair khane ke dauraan maa ji ne hi usse uske bare me thoda bahut normaly puchna shuru kiya. Jaise wo pahle kaha rahta tha, kya kaam karta tha aur uski apni family me kaun kaun hain. Maa ji ke sare sawaalo ko usne bas short me hi jawaab diya ki wo pahle kaha rahta tha aur kya kaam karta tha. Wo kisi company me mechanic tha. Family ke bare me usne yahi bataya tha ki uska is duniya me koi nahi hai." Komal saans lene ke liye ruki to ek baar fir se fiza me khamoshi chha gayi.

"Uska khamosh rahna kisi ko bhi ye sochne par majbur kar sakta tha ki uski khamoshi ke peechhe koi badi vajah zarur hai." Komal ne saans lene ke baad fir se bolna shuru kiya_____"Maa ji ko bhi use dekh kar yahi laga tha aur unhone usse is bare me puchha bhi magar usne yahi kaha ki uski khamoshi ke pichhe koi vajah nahi hai balki uska swabhaav hi aisa hai. Aisa nahi tha ki usme koi khaas baat nahi thi..balki wo aisa tha ki uski har baat khaas thi jo uske bare me sochne par majbur karti thi. Wo dikhne me gora chittha tha, kad kaathi achhi thi aur koi bhi ladki use dekh kar yahi sochti ki kaash usse uski shadi ho jaye. Uski khamoshi to thi hi uski khaas vajah aur uska kisi se bhi na ghulne milne ki baat bhi khaas hi thi. Bhala duniya me itna vichitra type ka insaan kaun hoga jo aise nature ke sath sahajta se logo ke bich rah pata ho.? Khair us raat wo khana kha kar chala gaya magar sath hi hamare andar se wo aakhiri asahjta bhi door kar gaya jo uske pahle shesh bachi thi. Is baat ka asar ye hua ki dusre din se maa ji aksar usse uska haal chaal puchne lagi. Is liye nahi ki unke andar ab uske prati koi shanka thi balki is liye ki wo ye samajhne lagi thi ki wo bhale hi chaahe selfish nature ka ho aur kisi se baat karna pasand na karta ho magar insaan bura nahi tha aur na hi uske dwara hame koi khatra tha. Shuruaat me maa ji ke dwara is tarah haal chaal puchhne par shayad use pareshani huyi thi magar fir wo bhi dhire dhire maa ji se baat cheet karne laga tha. Haan uski koshish yahi rahti thi ki uska saamna maa ji se ya mujhse na ho magar maa ji se uska saamna ho hi jata tha. Aise hi do maheene guzar gaye. In do maheeno me wo hamare ghar ke sadasya ki tarah ho gaya tha. Halaaki wo ab bhi ham logo se zyada baat nahi karta tha magar ab itna fark to aa hi gaya tha ki ham us par puri tarah bharosa karne lage the aur usse kisi tarah ka khatra hone ka sochte bhi nahi the. Maa ji ke kahne par wo hamre general kaam bhi kar diya karta tha. Sabse badi baat aur hairaani ki baat to ye thi ki agar kisi vajah se usse mera saamna hota tha aur use bolna padta tha to wo mujhe bhabhi maa kahta tha jabki uski aur meri umar me zyada fark nahi tha. Bhabhi bolna galat ya ajeeb nahi tha magar bhabhi maa bolna thoda ajeeb lagta tha magar maine ya maa ji ne use iske liye kabhi kuch nahi kaha." Komal ek baar fir se saans lene ke liye ruk gayi to inspector dushyant ne gahri saans li. Andaaz aisa tha jaise kuch kahne wala tha aur kaha bhi usne.

"Chaliye ye sab to thik hai komal ji." Inspector ne kaha____"Ab zara us raat ke bare me bataiye jis raat wo waardaat huyi thi."

"Mera kamra ground floor par hi maa ji ke kamre ke right side me tha." Komal ne batana shuru kiya____"Har roz ki tarah main aur maa ji apne apne kamre me soye huye the. Pichhle do din se meri tabiyat kuch kharaab thi is vajah se maa ji raat me kayi baar mujhe dekhne ke liye mere kamre me aati rahti thi, is vajah se main apne kamre ka darwaja andar se kundi laga kar band nahi karti thi. Dusri baat ab avinash ko kyo ki ham apne ghar ka sadasya hi maanne lage the to ham na to ab usse kisi tarah ka khatra mahsoos karte the aur na hi hame koi ummid thi ki wo aisa waisa kuch karega. Main gate ke paas se upar jane ke liye seedhiya thi aur main gate se andar ki taraf aane ke liye koi baadha bhi nahi thi kyo ki andar ki taraf ka raasta khula hi tha. Aapne dekha hi hoga ki main gate se andar aane ke baad fir koi darwaja nahi hai balki ek chhota sa baraamda hai uske baad ek chhota sa hall. Khair us raat main apne kamre me dawa kha ke soyi huyi thi. Mujhe nahi pata ki us wakt mere kamre me kaun aaya aur meri aalmaari khol kar uske andar ke locker se mere paise aur mere sare gahne jewar le gaya. Magar jab mujhe apne jism par kuch rengta hua feel hua to meri aankh khul gayi. Pahle to mujhe kuch samajh na aaya magar night bulb ki roshni me jaise hi meri nazar avinash par padi to main buri tarah dar gayi aur ghabra kar cheekhne hi wali thi ki usne bijli ki si tezi se apne ek hath ki hatheli kisi pressure cooker ke dhakkan ki tarah mere muh par rakh di aur dusre hath se zor de kar mujhe bed par majbuti se dhakel diya. Uski is harkat se meri ghigghi bandh gayi thi. Maare dahshat ke mera bura haal ho gaya tha. Mukh se goon goon ki awaaze nikal rahi thi aur chehra palak jhapakte hi paseene se tar batar ho gaya tha. Jabki wo kameena lagataar mere muh me apni hatheli dabaye mere upar chadhta hi chala ja raha tha. Kuch hi palo me usne apni dono taango se meri un taango ko daba liya jinhe chhatpatate huye main patke ja rahi thi aur fir wo jhuka aur mere pet ke paas sikudi saadi ko muh me daba kar alag karne laga. Idhar main apne dono hatho se uske baal nochne me lagi thi magar wo fir bhi nahi ruk raha tha. Bhay ke mare mera bura haal tha aur meri aankho se aanshu chhalak pade the. Main zor zor se cheekhna chaahti thi magar mera muh shakhti se uski hatheli ke niche daba hua tha. Jab wo kisi bhi tarah se mere zor dene par na ruka to maine uske baalo ko mutthi me pakad kar puri taakat se kheecha jisse uski pakad dheeli pad gayi aur usne apne mukh se meri saadi ko chhod kar aur sir utha kar meri taraf dekha. Uski aankho me darindagi dekh kar meri cheekh nikal gayi. Mere muh se uski hatheli hat gayi thi is liye meri cheekh maa ji ke kaano tak pahuch gayi. Idhar main cheekhte huye maa ji ko pukaarti hi rahi. Kamre ke baahar se jaise hi usne maa ji ki awaaz suni to wo jaldi se mere upar se hat kar bed se niche utra aur darwaje ki taraf bhaga magar tabhi darwaza khula aur maa ji kamre me aa gayi aur usse takra gayi. Takkar shayad zor ki thi tabhi to maa ji pichhe darwaze se takra gayi thi magar iske baad bhi unhone saaf dekha ki wo avinash tha jo unse takra kar darwaze se baahar bhaga tha. Idhar uske bhaagte hi main bhi bed se niche aa kar rote huye maa ji se kahne lagi thi ki us kameene ne meri ijjat lootne ki koshish ki hai. Bad-hawaashi ki haalat me maa ji ne mujhe kisi tarah samhala aur mujhe kamre me hi rukne ka bol kar ye kahte huye avinash ke kamre ki taraf teji se gayi ki uski himmat kaise huyi meri bahu ke sath aisi ghatiya harkat karne ki. Abhi police ke hawale karti hu use."

Komal ek baar fir se chup huyi to khamoshi chha gayi. Idhar inspector dushyant komal ki saari baato ke bare me sochne laga tha magar fir jald hi usne komal ki taraf dekhte huye pucha____"Uske baad kya hua.?"

"Apni bahu ke sath uske dwara ki gayi is harkat se main gusse se paagal ho gayi thi." Inspector ke puchhne par komal ki jagah jawaab dene ki kamaan jaise mrs babita ne samhaal li, boli____"Use maine apne bete ki tarah samjha aur use apne ghar ka ek sadasya mana magar usne mere bharose ka khoon kiya aur mere ghar ki ijjat par hath dala tha. Is liye gusse se paglaayi huyi jab main uske piche teji se jate hue uske kamre ke darwaje par pahuchi to dekha darwaja band tha. Maine gusse se kamre ke darwaje ko dhakka diya to wo teji se khula aur dono taraf ki diwaaro se takraya. Kamre ke andar aa kar maine dekha kamre ke bicho beech wo kameena farsh par hi dusri taraf ko chehra kiye leta hua tha tha. Main ye dekh kar aur bhi gusse se pagla gayi ki kaise ye kameena meri bahu ke sath wo ghatiya harkat kar ke yaha chain se leta hua hai. Maine aav dekha na taav aage badh kar zor se ek laat uski peeth par maari to wo hadbada kar uth ke baith gaya. Uske sir ke baal waise hi bikhre huye the jaise meri bahu ne kheech kar bikhere the. Jaise hi uski nazar mujh par padi to wo buri tarah chaunka aur ghabra bhi gaya. Main itne gusse me thi ki jaise hi wo uth kar baitha main us par chadh daudi aur laat ghuso par rakh liya use. Wo kya kah raha tha main ye nahi sun rahi thi balki laat ghuso ke sath ye kahti ja rahi thi ki kameene maine tujhe apne bete ki tarah samjha aur apne ghar ka sadasya maana aur tune kya kiya.? Meri bahu aur apni bhabhi maa ki ijjat par hath dala. Abhi main ye sab usse kahti huyi us par laat ghuse barsa hi rahi thi ki tabhi meri bahu komal bhi waha aa gayi aur wo rote huye mujhe kheech kar kamre se baahar le jane lagi. Maine kamre se baahar aa kar kundi laga di, ye soch kar ki kahi wo bhaag na jaye yaha se. Apni bahu ke sath niche aa kar maine police station me aapko phone kar diya. Uske baad kya hua ye aapko pata hai."

"Haan pata hai mrs babita ji." Inspector ne kuch sochte huye gahri saans li fir bola____"Uske baad aapne police station me call karke hame bulaya. Main apne kuch police shipahiyo ko le kar aapke ghar aaya aur aapse uske bare me pucha to aapne mujhe bataya ki aapne use kamre ke andar baahar se darwaje ki kundi laga ke band kar rakha hai." Kahne ke sath hi inspector thodi der ke liye ruka.

"Mujhe achhi tarah yaad hai." Inspector ne kahi khoye huye se andaaz me kaha____"Ki aapke dwara bataye jane par main upar uske kamre me gaya aur dekha ki wo kamre me saamne wali diwaar se sata hua farsh par baitha tha. Ab kyo ki us wakt situation aisi thi ki aapki tarah main bhi use dekh kar aur ye soch kar gusse me aa gaya tha ki usne aapki bau ke sath aisi ghinauni harkat ki thi is liye us gusse me maine bhi use laat ghuso me dhar liya. Wo dard se karaha aur chillaya bhi. Puchne par jab usne ye kaha ki usne kuch nahi kiya balki so raha tha to us wakt ki situation ke anusaar maine use fir se do chaar thappad lagaya. Is beech mere sath aaye mere shipahiyo ne kamre ki talaashi li to uske bag se dher sare paise aur gahne jewar mile jinhe dekh kar aapne kaha ki ye paise aur gahne jewar to aapki bahu ke hain. Fir kya tha ek to waisi ghatiya harkat dusre chori ke us maamle ne uski achhi khaasi kutaayi karwane me koi kasar nahi chhodi. Ham use pakad kar seedha thaane le aaye aur fir thane par bhi uske sath wahi kissa."

"Hamare sahab ji ke dwara." Inspector saans lene ke liye ruka to bagal se baitha hawaldaar bhanu bich me bol pada_____"Itni kutaayi ke baad bhi wo kambakht yahi bolta raha ki usne kuch nahi kiya aur ant tak yahi bolta raha. Aaj bhi jab wo riha ho ke ja raha tha to hamne usse puchha tha ki ab to bata de bhai kya tune wo sab kiya tha magar usne fiki muskaan ke sath yahi kaha ki wo zindagi bhar yahi kahega ki usne kuch nahi kiya balki wo begunaah tha aur use bewajah fasaya gaya tha."

"Riha hone ke baad bade se bada mujrim kanoon ki aankho me dekh kar muskurate huye kabhi kabhi ye kah jata hai." Inspector ne kaha_____"Ki gunaah usi ne kiya tha magar kanoon uska kuch nahi bigaad paya. Aap khud sochiye babita ji ki agar avinash riha hone ke baad kabool bhi kar leta to uska ham kya kar lete.? Kyo ki jis jurm ki use saza huyi thi us saza ko to wo kaat hi chuka tha. Ab aisa to hai nahi ki kanoon use baar baar ek baar kiye gaye jurm ke liye saza deta. Matlab saaf hai ki wo apni jagah sahi tha. Ab sawaal ye hai ki agar wo sahi hai to us raat jo kuch bhi hua wo kisne kiya.?"

Inspector ke chup hote hi waha par blood ki dhaar ki maanind sannata chha gaya. Mrs babita aur unki bahu komal ke chehre par kayi tarah ke bhaav aate jate nazar aa rahe the jinhe inspector badi baariki se read karne ki koshish kar raha tha.

"Khair chhodiye." Inspector dono saas bahu ko kuch na bolte dekh bol pada_____"Mujhe ek baar fir se us kamre ka muaayna karna hai jis kamre me wo rahta tha. Agar aapko koi aitraaz na ho to main us kamre me ja kar waha ka muaayna kar lu.?"

Inspector ke aisa kahne par mrs babita ne mook sahmati de di use. Sahmati milte hi inspector dushyant sofe se uth kar khada ho gaya. Uske khada hote hi hawaldaar bhanu bhi jhatke se khada ho gaya.

"Aap chaahe to hamare sath us kamre me chal sakti hain." Inspector ne mrs babita ki taraf dekhte huye kaha jis par mrs babita ne jane se mana kar diya.

Inspector dushyant apne hawaldaar ke sath upar us kamre me pahucha jis kamre me avinash rahta tha. Dushyant ne dekha ki kamra puri tarah se khaali tha. Koi bhi samaan ya wastu waha par nahi thi. Hoti bhi kaise..? Avinash ke paas apna jo samaan tha wo uske apne kapde aur kuch zaruri cheeze thi jo ek maamuli se bag me hi aa jati thi. Kamre ke farsh par wah bina kuch bichhaye hi sota tha is liye bed wagaira bhi nahi tha.

Kamre me ek khidki thi jo ki pichhe ki taraf thi aur usme lohe ki jaalinuma khidki lagi thi. Inspector ne kuch der kamre me idhar udhar dekha aur fir kamre se baahar aa gaya. Kamre ke baahar aa kar wo first floor par jane wali seedhiyo ki taraf aaya aur fir seedhiyo se upar chadhta chala gaya. Seedhi ke antim chhor par ek lohe ka darwaza tha jo ki is wakt andar se band tha. Dushyant ne darwaja khola aur bhanu ke sath chhat par aa gaya. Lambe chaude chhat par teen fit uchi boundary thi. Dushyant chaaro taraf ki boundary me ja ja kar achhe se muaayna karne laga. Wo boundary ke baahar bhi nazar daalta ja raha. Khaas kar us taraf jis taraf sadak thi. Kafi der tak wo yu hi jane kya kya check karta raha uske baad wo bhanu ke sath waapas niche aa gaya.

"Kamre ka muaayna kar liya aapne.?" Inspector ko waapas aaya dekh mrs babita ne kaha____"Waise kya aap batayege ki kis cheez ka muaayna kar rahe the aap.? Kahi aisa to nahi ki aapke dimaag me khayaal aaya ho ki us raat koi dusra insaan baahar se yaha aaya aur usne wo sab kiya aur fir apna sara kuch kiya dhara aapke kathit begunaah insaan avinash ke sir par daal kar gayab ho gaya.?"

"Kamaal hai." Inspector mrs babita ki baat par muskuraye bagair na rah saka, bola_____"Aapne to jaise mere dimaag ka operation hi kar diya. Aapko to police department me hona chahiye tha."

"Baate mat banaao inspector sahab." Mrs babita ne sapaat bhaav se kaha_____"Agar aapke dimaag me wahi khayaal aaya hai jiska ki maine zikra kiya hai to aapka khayaal sarasar galat hai. Kyo ki na main andhi thi aur na hi meri bahu. Ham dono ne saaf dekha tha ki wo avinash hi tha jisne wo sab kiya tha. Rahi baat uske kabool na karne ki to pench us me hai ham me nahi aur haan ab mujhe lagta hai ki aapko yaha se jana chahiye. Main nahi chaahti ki mere ghar me police walo ki itni der tak maujudgi mere liye aisi ho jaye jiski vajah se aas pados wale hamse nazre bhi milana pasand na kare."

"Mrs babita." Inspector dushyant ke chehre par naagwari bhare bhaav ubhre_____"Aap to aise kah rahi hain jaise police koi aisi cheez hai jise chhoot ki bimari hoti hai aur uske aapke yaha rahne se aapko bhi bimari lag jayegi. Main pure ijjat samman ke sath aapse baate kar raha hu magar aapka bartaav nihayat hi ghatiya kism ka hai. Aapke sath jo kuch bhi hua uske liye hamne use wahi saza dilwaayi jo aise apraadh ki hoti hai. Meri ek baat dhyaan se sun lijiye ki bhale hi ab wo case rafa dafa ho gaya hai magar main is baat ka pata laga ke rahuga ki jis insaan ke upar aapne sangeen arop laga kar use saza dilwaayi us insaan ne aakhir tak ye kyo kahta raha ki usne kuch nahi kiya.?"
Inspector ka lahja eka ek shakht ho gaya tha. Ye dekh kar hawaldaar bhanu ne usse chalne ke liye kaha to wo dono saas bahu ko baari baari se dekh kar ghar se baahar ki taraf badhta chala gaya.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 03





Dusre din avinash taiyaar ho kar apne kamre se baahar nikla aur darwaze par lock laga kar seedhiyo se niche aa gaya. Abhi wo gate ke paas hi pahucha tha ki pichhe se uske makaan maalik mahesh ki awaaz uske kaano me padi aur use ruk jana pada. Halaaki is wakt use kisi ke dwara awaaz de kar rok dena bilkul bhi pasand nahi aaya tha magar naya naya tha yaha is liye wo nahi chaahta tha ki uske kisi galat bartaav se fauran hi use yaha se kamra khaali kar ke jana pade. Kyo ki itna jaldi use kahi par bhi kamra milne wala nahi tha.

"Maaf karna avinash beta." Peechhe se aate huye mahesh ne khed bhare bhaav se kaha____"Tum kahi ja rahe the to mujhe is tarah tumhe rokna nahi chahiye tha magar roka is liye ki main chaahta hu ki subah ki chaay to kam se kam mere sath pite jaao. Dekho beta tumhe jo achha lage wo karo magar yaha ho to kahi na kahi insaan ko apni insaaniyat ka bhi khayaal rakhna chahiye. Khane pine ke maamle ko to tumne kal hi bata diya tha ki tumhe baahar ka hi pasand hai magar ek wakt ki chaay agar tum apne is chacha ke sath pi loge to mujhe bhi achha lagega."

"Ji shukriya." Avinash ne beman se kaha aur uske pichhe andar ki taraf aa gaya. Andar jo chhota sa hall tha wahi par rakhi chairs me se ek par mahesh ne avinash ko baithne ka ishara kiya aur khud bhi ek dusri chair par baith gaya.

Kuch hi der me mahesh ki dusri biwi gayatri andar kitchen se aayi aur usne un dono ko chaay di. Chaay ki do teen chuskiyo tak sabke bich khamoshi hi rahi. Avinash to khud kuch bolne wala nahi tha jabki mahesh uske chehre ki taraf dekhne ke baad kuch kahne ka man banaya.

"Waise avinash beta." Mahesh ne badi shaalinta aur pyar se kaha_____"Agar tum chaaho to dono wakt ka khana yahi kha sakte ho. Dekho kya hai ki ek to baahar ka khana sehat ke liye thik nahi hota aur dusre baahar ke khane me ghar jaisa swaad aur aanand bhi nahi milta. To tum jo paisa baahar ke khane par dete ho wo hame diye jana. Ye samajh lo ki ye bhi ek dhaba hi hai. Dekho main aisa is liye kah raha hu ki main tumhe apne bete ki tarah samajhta hu. Bhale hi tum abhi naye naye yaha aaye ho aur ham tumhare bare me zyada kuch nahi jante magar jaan pahchaan ka kya hai wo to hoti hi rahegi magar jo zarurat ki cheeze hain aur sehat ke liye achhi hain uske bare me baat karna galat to nahi hai na.?"

"Aap bewajah takalluf kar rahe hain chacha ji." Avinash ne khaali cup ek taraf rakhne ke baad kaha____"Maine aapko pahle hi bata diya hai ki mujhe baahar ka hi khana pasand hai, fir chaahe wo jaisa bhi ho. Khair main samajh sakta hu ki aap ye sab mere achhe ke liye aur meri achhi sehat ke liye hi kah rahe hain magar jis cheez ke liye mera zameer hi ijazat nahi deta wo main kaise kar sakta hu.? Aapne mere liye itna kuch socha uske liye aapka bahut bahut shukriya magar plz kisi bhi baat ke liye aap mujhe majbur mat kijiye. Main aapke yaha ek kirayedaar hu to aap mujhse usi hisaab se talluk rakhiye. Kisi prakaar ka rishta bana kar moh badhane ki koi zarurat nahi hai. Aapko meri ye baate zara bhi pasand nahi aayengi ye main jaanta hu magar ye bhi jaan lijiye ki main aisa hi hu. Main kisi ke dil ko thes nahi pahuchana chaahta. Main bas ye chaahta hu ki koi mujh par daya na dikhaye aur na hi mujhse koi matlab rakhe....achha chalta hu ab."

Avinash kya kya kah gaya tha is bare me mahesh aur uski biwi gayatri ko bhi samajh nahi aaya tha. Wo dono to bas aankhe aur muh faade hairat se uski taraf dekhte rah gaye the. Hosh tab aaya jab avinash waha se chala gaya tha.

"Kaisa ajeeb insaan hai ye.?" Mahesh ne apni biwi ki taraf dekhte huye hairaani se kaha____"Kya maine kuch galat kah diya tha use.?"

"Aapne kuch bhi galat nahi kaha." Gayatri ne zara teekhe lahje se kaha____"Magar shayad use hamare prem byohaar ki koi zarurat nahi hai. Dekha nahi kya aapne...kaise besharmo ki tarah anaap shanaap bolta ja raha tha. Bhalaayi ka to zamana hi nahi raha. Kaise kaise log hain duniya me.?"

Mahesh me apni biwi ki baato ka koi jawaab nahi diya balki wo to abhi bhi khamoshi se apne kaano me goonjti avinaash ki baato ko mahsus kar raha tha.

Udhar avinash ghar se nikalne ke baad sadak par paidal hi chalne laga tha. Kafi door chalne ke baad jab wo main sadak par aaya to use ek auto mil gaya. Aurto me baith kar wo us jagah pahucha jaha par wo pahle kaam karta tha.

Factory ka maalik koi pachaas ke upar ki umar ka tha. Factory me auto parts ko saste daamo me khareed kar laya jata tha aur jo parts sahi hote unhe repair karke aur badhiya se chamka kar waapas local market me bech diya jata tha. Avinash yaha par mechanic tha. Paanch maheene pahle wo yaha par kaam karne aaya tha. Kuch hi dino me wo apne kaam se sabko prabhaavit kiya tha. Uske kaam karne ki speed aur baariki kafi achhi thi. Khair teen maheene tak to thik thaak raha magar do maheene pahle use police dwara jail me band kar diya gaya tha. Jiska vivran upar bataya ja chuka hai.

Avinash jab factory ke andar pahucha to apne sheth ko is taraf hi aate dekh wo apni jagah par ruk gaya. Factory ke baaki workers avinash ko dekh kar hairaan bhi the aur khush bhi. Haalaki kisi bhi workers se wo zyada baat nahi karta tha magar haan aisa bhi nahi tha ki unse uske kharaab taallukaat the.

Sheth ki nazar jaise hi avinash par padi to wo bhi apni jagah par ruk gaya. Mota thulthul sa aadmi tha wo. Kaale kalute maathe par teen dhaariyo wala safed chandan laga rakha tha usne. Mote jism par safed libaas aur gale me lambi si mala. Sir par ek bhi baal nahi. Jaise ujde chaman ka wo ek udaahran ho.

"Are tum idhar kab aaya saayi.?" Sheth uski taraf dekh kar bola___"Pata chala ki tumko police pakad kar le gayi thi. Are tumne kaun sa lafda kiya tha saayi ki tumere ko police pakad ke le gayi thi.?"

"Kya aapko lagta hai sheth.?" Avinash ne thoda narm lahje me kaha____"Ki maine koi lafda kiya hoga. Wo kya hai na sheth jiske aage pichhe koi nahi hota na use ye duniya wale aise hi thokaro par rakhti hai."

"Aree baba tum fir se na apna dukhda rone lag jana." Sheth bol pada____"Tum achhi tarah janta saayi ki ham jab bhi kisi ka dukhda sunta to mere ko rona aa jata. Bhool ja baba...aur ja kaam pe lag ja."

Sheth ki baat sun kar avinash ke chehre par raahat ke bhaav ubhre aur wo apni jagah par ja kar kaam karne laga. Sheth ne uski taraf ek nazar dekha aur bahar ki taraf chala gaya. Sheth ke jane ke baad workers dheele pad gaye aur kuch to avinash se uske jail jane ke bare me puchne lage jiska jawaab usne yahi diya ki use bewajah fasaya gaya tha.

<>•<>•<>

Inspector dushyant ne apne muh lage hawaldaar ki taraf dekha to uska chehra latka hua paya. Ye dekh kar wo chaunka aur fir usse puch baitha____"Kya hua pyare.?"

"Sahab ji." Bhanu ne thaki si awaaz me kaha___"Har jagah use dhundha magar wo jane kaha gadhe ke seeng ki tarah gayab ho gaya hai."

"Koi baat nahi pyare." Dushyant ne kaha____"Thoda rest kar lo uske baad fir se talaash karna use."
"Ek baat kahu sahab ji.?" Bhanu ne khaas bhaav se kaha____"Bura to nahi manege na.?"

"Kaho kya kahna chaahte ho.?" Dushyant ne bina uski taraf dekhe hi kaha.
"Kahi aisa to nahi." Bhanu ne maano rahasyamayi andaaz se kaha_____"Ham bewajah hi ye sochne lage hain ki usne sach me kuch nahi kiya tha aur use bewajah hi saza mili.? Jabki usne wo sab sach me hi kiya raha ho aur kaboola is liye nahi ki use bhi pata tha ki uske us apraadh ke liye maut ki saza to use milegi nahi. Is liye police ka dimaag shuru se hi ghumane ka irada banaye huye raha wo aur ab ki situation ke anusaar wo apne us irade me kamyaab bhi hua lag raha hai."

"Chalo maan liya pyare." Inspector ne ek cigarette jalane ke baad kaha_____"Magar ye bataao ki use ye sab karne ki bhala kya zarurat thi.? Kahne ka matlab ye ki use apne apraadh ko na kabool kar ke last me hamara dimaag ghumane ki kya zarurat thi.? Hamse bhala uski aisi kya dushmani ho sakti hai jiske liye wo ye sab karta.? Uske dushman to mrs babita aur uski bahu huyi na jinhone use uske anusaar use hamare supurd karke kanunan saza dilwaayi.?"

Hawaldaar bhanu singh ko turant kuch samajh na aaya ki wo apne chahete officer ko kya jawaab de.? Dimaag to uska maano kaam hi nahi kar raha tha. Shuru me jab usne is bare me apne aala officer se shak zaahir kiya tha tab use kahi na kahi lag raha tha ki daal me kuch kala hai magar ab khud uska dimaag kund ho chuka tha.

"Dekho pyare." Inspector uske chehre ke bhaavo ko read karte huye kaha_____"Case to ab band hai magar iske baavjud jo pench hame samajh me aaye usne sirf hame uljhaya hai. Ham sirf is liye isme interest le rahe hain kyo ki mujrim ne apna jurm kabool nahi kiya. Agar is baat ko bhool jaye to fir isme kuch nahi rah jata. Bas yahi kaha jayega ki kirayedaar ne wo sab kiya aur makaan maalkin ne use range hatho pakad liya. Uske baad use police ke hawale kar diya. Ye ek normal aur swabhaavik prakriya hai."

"To fir bhool jaiye sahab ji." Hawaldaar bhaanu ne tapaak se kaha____"Haan sahab ji bhool jaiye us pench ko. Hamara kaam tha mujrim ko pakad kar use saza dilana aur wo ham kar chuke hain. Ab kyo is jhamele ko le kar baithe hain ham.?"

"Tum to pareshan ho gaye lagte ho pyare." Inspector ne haste huye kaha_____"Ye sahi hai ki mujrim ko pakad kar use kanunan saza de di gayi aur saza ke baad wo bari bhi ho gaya magar ye sawaal to bana hi rahega na ki mujrim ne apna jurm kyo kabool nahi kiya.? Kya aisa hota hai ki koi jurm kare aur fir police dwara pakda jane par wo apna jurm na kabool kare.? Dusri baat kayi cases me kisi insaan ko adaalat me tab bhi saza ho jati hai jabki usne koi apraadh nahi kiya hota...kyo ki us insaan ke paas apni begunaahi ka koi saboot nahi hota. Jabki ye maamla aisa nahi tha aur na hi iska mujrim aisa tha. Yaha sawaal hai ki agar mujrim ne apna jurm kabool nahi kiya to uske upar ilzaam aaya kaise.? Dusri baat agar mrs babita aur uski bahu apni jagah sach hain to wo kaun tha jo waisi waardaat ko anjaam de kar waha se gayab ho gaya tha.?"

Pahle se hi chakar ghinni bana hua hawaldaar ka dimaag maano inspector in baato se aur bhi chakra gaya. Usne dayneeya bhaav se dushyant ki taraf dekha jaise kah raha ho ki bas karo prabhu ab kya paagal kar doge mujhe.?

"Uski talaash jaari rakho pyare." Inspector ne gahri saans lete huye kaha_____"Koi case to hai nahi is liye isi maamle me hi apna sir khapate hain."
"Thik hai sahab ji." Hawaldaar ne kaha aur salute thok kar waha se champat ho gaya.

<>•<>•<>

Do mahine baad.!
Inspector dushyant varma kisi kaam se kahi baahar gaya hua tha. Waapsi me usne socha ki apne ek dost se bhi milta chalu. Uska dost Yaswant agnihotri isi ilake ke ek thane me police me SI tha.

In do mahino me inspector dushyant avinash ko jaise bhool hi gaya tha. Pichhle ek mahine tak wo uske bare me sochta raha tha aur hawaldaar bhanu singh se uski talaash bhi karwata raha tha magar hairaani ki baat thi ki avinash ko wah khoj nahi paya tha. Apne muh bole hawaldaar ke hi zor dene par wah is baat ko bhi dimaag se jhatak chuka tha ki avinash ne apna jurm kyo nahi kabool kiya tha.? Ek tarah se ye uske liye mystery jaisi baat ho gai thi magar bhanu ke baar baar zor dene par usne bhi soch liya tha ki bekaar me kyo wo is baat par apna sir khapa raha hai. Avinash ke na milne par usne yahi socha ki mrs babita ke nikale jane par shayad usne ye state hi chhod diya hoga.

Inspector dushyant ne apne dost ke thane ke saamne apni police gipsy ko roka aur fir paidal chalta hua thane ke andar chala gaya. Usne phone par hi dost se baat ki thi aur yaswant ne kaha tha ki wo thane me hi milega. Thane ke andar kuch shipaahi nazar aaye jinhone uske jism me three star lagi wardi ko dekh kar salute kiya. Dushyant ke puchne par unme se ek ne andar right side ishara kiya.

Dushyant abhi us taraf badha hi tha ki dusri side se kisi ke chillane ki awaaz aai. Awaaz sun kar use samajhte der na lagi ki yaswant kisi mujrim ki dhunaai kar raha hai andar. Khair wo kuch pal ruk kar yaswant ki desk ke paas rakhi ek chair par baith gaya aur yaswant ke aane ka wait karne laga.

Kuch der me jab yaswant aaya to dushyant ne dekha ki uski wardi paseene se bheegi huyi thi aur saamne se wardi ke teen button khule huye the aur sath hi wo aise haaf raha tha jaise meelo bhaag kar aaya ho. Dushyant use is haal me dekh kar muskuraya.

"College me jitni maar tune khaayi thi pyare." Dushyant ne uski taraf dekhte huye muskura kar kaha_____"Us sabka hisaab mujrimo se le raha hai....waah bahut khoob."
"Wo sab chhod." Yaswant apni wardi ko durust karte huye chair par baithe hi bola_____"Ye bata kya lega thanda ya garam.?"

"Main to kuch bhi le luga pyare." Dushyant ne muskurate huye kaha_____"Magar tu zarur apne liye thanda mangwa le. Kyo ki abhi tujhe usi ki zarurat hai. By the way aisa kaun sa mujrim tha andar jisne teri aisi haalat kar di.?"

"Mat poochh yaar." Yaswant ne bura sa muh banate huye kaha_____"Sale ko kal se kapdo ki tarah koot koot kar dho raha hu magar haramkhor ek hi raag alaapta ja raha hai ki usne kuch nahi kiya."

"Aree pakde jane par har mujrim yahi kahta hai." Dushyant ne kaha_____"Waise kiya kya hai usne.?"
"Are yaar jiske ghar me kiraye se rahta tha." Yaswant ne kaha_____"Usi ke ghar me chori ki aur apne makaan maalik ki beti ki ijjat lootne ki bhi koshish ki. Wo to shukar tha ki beti ne cheekhna chillana shuru kar diya warna isne to kaand hi kar dena tha."

Yaswant ki ye baate sun kar dushyant ekdam se chaunka. Mano mastishk me badi tezi se jhanaka hua aur ek naam maano visfot ke sath goonja....Avinash.

"Chal dikha mujhe." Dushyant apni chair se ek jhatke me uthte huye bola_____"Main dekhna chaahta hu use."
"Aree kya hua.?" Dushyant ke haav bhaav dekh kar yaswant hadbadate huye chair se utha, bola____"Tu ekdam se use dekhne ki baat kyo kar raha hai.? Kya tu jaanta hai use.?"

"Bakwas mat kar yaswant." Dushyant ne us taraf badhte huye kaha jidhar se us wakt use chillane ki awaaz sunaayi di thi, bola____"Pahle dekhne de mujhe."

Dushyant ki baat par yaswant kuch bol na saka. Ye alag baat thi ki wo bolna bahut kuch chaahta tha. Khair thodi hi der me dushyant aur yaswant us lockup ke paas pahuch gaye jiske andar ek shakhs lockup ke beecho bich rassiyo me jhool raha tha. Uske kandho par ek mota sa danda tha aur usi dande me uske dono hath agal bagal se bandhe huye the aur rassi ka ek chhor upar chhat par lage kunde se badha hua tha.

Us shakhs ki haalat hi bata rahi thi ki yaswant ne uski kafi achhe se khaatirdaari ki thi. Uska chehra badi dayneeya haalat me tha. Mukh se nikalta khoon aur laar neeche farsh par gir raha tha. Sir niche ki taraf jhuka hua tha jisse dushyant ko uska chehra thik se dikhaayi nahi diya.

Dushyant ne yaswant se lockup ka tala kholne ke liye kaha. Yaswant ne paas hi khade hawaldaar ko ishara kiya to us hawaldaar ne jaldi se lockup ka tala khola. Tala khulte hi dushyant gate khol kar andar ki taraf daakhil ho gaya. Uske piche yaswant bhi andar aa gaya. Dushyant ne us shakhs ke chaaro taraf ek chakkar lagaya aur fir saamne aa kar usne apne ek hath se us shakhs ki thuddhi pakad kar uska chehra upar uthaya. Jaise hi us shakhs ka chehra dushyant ki nazro ke saamne aaya dushyant ki aankhe chaudi ho gayi.

Wo shakhs avinash hi tha aur is wakt uski haalat aisi nahi thi ki wo khud bhi nazar utha kar apne itne kareeb khade dushyant ko dekh sake. Dushyant use kuch der tak dekhta raha. Uske kaano me yaswant ke us wakt ke kahe waakya goonj rahe the. Eka ek uske dimaag me khayaal aaya ki ye kya chakkar hai.?

"Ab tu mujhe kuch batayega." Dushyant ko chup dekh yaswant se ruka na gaya_____"Ya aise hi but bana khada rahega.?"
"Baahar baat karte hain" Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha aur avinash ko ek nazar dekhne ke baad lockup se baahar aa gaya.

"Yaar ab bata bhi de." Yaswant ne chair par baithte hi cigarette sulga rahe dushyant ki taraf dekhte huye kaha______"Ki ye sab kya hai.? Itna to ab main bhi samajh gaya hu ki tu us namuraad ko janta hai magar kaise.? Ye jaanna hai mujhe."

Inspector dushyant ne cigarette ke do teen gahre gahre kash liye aur fir dher sara dhuwa upar hawa me udane ke baad yaswant ki taraf dekha. Udhar yaswant ke chehre par aise bhaav ubhar aaye the jaise ab agar dushyant ne use kuch nahi bataya to wo apne sir ke baal noch lega.

"Tune sahi kaha." Dushyant ne uske chehre ke bhasvo ko read karte huye kaha_____"Main us namuraad ko jaanta hu magar...!"
"Magar..??" Yaswant ke mukh se anayaas hi nikal gaya.

"Magar kaise jaanta hu use." Dushyant ne fir se cigarette ka ek kash liya aur uske baad uska dhua hawa me udate huye kaha_____"Agar ye sunega to shayad tujhe badi hairaani hogi."
"Meri hairaani ki chhod bhai." Yaswant ne bechaini se kaha_____"Tu mujhe sab kuch saaf saaf bata. Dimaag ka dahi na kar ab."

Yaswant ki baat sun kar dushyant use do mahine pahle ka wo case batane laga jisme yahi shakhs mrs babita ke yaha kiraye se rahta tha aur ek raat isne unke ghar me chori ki aur unki bahu ki ijjat lootne ki koshish ki thi. Dushyant ne use bataya ki kaise is shakhs ko mrs babita ne uske hawale kiya aur fir kaise usne thane me uski kutaayi karke usse uske jurm karne ke bare me pucha magar wo last tak yahi kahta raha ki usne waisa kuch nahi kiya tha.

"Waakayi." Saari baat sunne ke baad yaswant ke mukh se beshaakhta nikal gaya, bola_____"Yakeen nahi hota. Badi dilchaps baat hai bhai. Magar sawaal hai ki agar isne kuch nahi kiya to kisne kiya aur sabse important baat ye ki iske makaan maaliko ne ise kyo fasaya.?"

"Yahi to sochne wali baat hai pyare." Dushyant ne cigarette ko apne pair ke niche bedardi se kuchalte huye kaha_____"Mrs babita aur unki bahu ka saaf kahna tha ki unke ghar me chori aur unki bahu ki ijjat lootne ki koshish karne wala yahi tha. Mrs babita aur unki bahu ka kahna hai ki wo bhala ise kyo fasayengi, wo bhi us soorat me jab ki unke pariwar ki ijjat hi daav par lagi huyi ho.?"

"Baat to tark sangat hai yaar." Yaswant ne kuch sochte huye kaha_____"Chalo maan liya ki mrs babita aur unki bahu apni jagah sahi hain aur idhar ye shakhs bhi sahi hai to fir jisne bhi ye kiya hai wo koi aisa insaan hona chahiye jo sirf aur sirf is shakhs ka dushman ho aur uski shakl o surat isse milti julti ho. Kahne ka matlab ye ki jurm wo karta hai aur fas ye jata hai."

Yaswant ki is baat se dushyant ke mano mastishk me jaise jhanaka hua aur dimaag ki batti badi tezi se roshan huyi. Ek jhatke me saari baat uske dimaag me clear ho gayi. Uske chehre par ubhar aayi chamak is baat ka saboot bhi thi.

"Bahut khoob pyare." Dushyant ne maano chatkara sa lete huye kaha_____"Ye baat saali apne dimaag me kyo nahi aayi thi iske pahle.? Bilkul sahi kaha tune. Ye to sala double role ka chakkar lagta hai."

"Thik samjhe." Yaswant ne tapaak se kaha____"Dono taraf ke maamle se to yahi baat nazar aati hai. Iska matlab ye bhi hua ki hamne bekaar me hi bechaare ko itna dhoya jabki wo to begunaah hai."

"Magar pyare." Dushyant ne kuch sochte huye kaha_____"Agar double role ka lafda hai to ye baat to use bhi pata hogi na.? Mere kahne ka matlab hai ki ho sakta hai uska koi ham shakal judwa bhai ho aur ye baat to wo jaanta hi hoga."

"To kya tumne usse puchha nahi.?" Yaswant ne puchha.
"Kaise puchhte pyare.?" Dushyant ne table ko ek hath se thokte huye kaha_____"Iske pahle ye baat apne dimaag me aayi hi kaha thi.? Dusri baat agar aisa hi hai to use bhi to batana chahiye tha na ki uska koi ham shakal judwa bhai hai aur usi ki vajah se wo is haal me pahucha hai."

"Uske bare me pata to lagaya hoga na tumne." Yaswant ne kaha.
"Haan pyare pura pata lagwaya tha." Dushyant ne kaha_____"Usne yahi bataya tha ki uska is duniya me koi nahi hai aur jab hamne apne tarike se maalumaat ki to koi faayda nahi hua."

"Fir to hamara ye khayaal bhi galat ho sakta hai jo uske ham shakal ke roop me hamne socha tha." Yaswant ne kaha______"Matlab ki uska koi ham shakal judwa bhai nahi hoga balki koi aur hi hoga jo uski shakal le kar use do do baar fasaya. Aaj kal kisi ka facemask banwa lena koi badi baat nahi hai...bas shart ye hai ki paisa hona chahiye."

"Kya baat hai pyare." Dushyant ne muskurate huye kaha_____"Aaj kal to kafi tez dimaag chalne laga hai tumhara. Lagta hai moong ki daal me bheemseni kaajal mila kar khane lage ho."

"Bheemseni kaajal ko chhodo." Yaswant ne sapaat bhaav se kaha_____"Aur ye batao ki kya decide kiya uske bare me.?"
"Ham ye soch rahe hain pyare." Dushyant ne apne andaaz me kaha_____"Ki ek baar chal kar us ghar ka muaayna kiya jaye jaha par ye sab hua hai."

"Waise to main muaayna kar chuka hu." Yaswant ne kaha_____"Magar tumhari tasalli ke liye main chal duga tumhare sath."
"To fir kursi par jame kyo baithe ho pyare." Dushyant ne chair se uthte huye kaha_____"Chalo hame bhi us bala ke darshan karwaao jiske sath is namuraad ne kaand karne ki koshish ki thi."
Dushyant ki baat par yaswant muskurate huye utha aur table se apni cap ko utha kar baahar ki taraf chal diya. Kuch hi der me dono police gipsy me baith kar nikal pade. Dushyant apni gipsy ko thane me hi khadi rahne diya tha.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 04
Ab Tak,,,,,

"Bheemseni kaajal ko chhodo." Yaswant ne sapaat bhaav se kaha_____"Aur ye batao ki kya decide kiya uske bare me.?"
"Ham ye soch rahe hain pyare." Dushyant ne apne andaaz me kaha_____"Ki ek baar chal kar us ghar ka muaayna kiya jaye jaha par ye sab hua hai."

"Waise to main muaayna kar chuka hu." Yaswant ne kaha_____"Magar tumhari tasalli ke liye main chal duga tumhare sath."
"To fir kursi par jame kyo baithe ho pyare." Dushyant ne chair se uthte huye kaha_____"Chalo hame bhi us bala ke darshan karwaao jiske sath is namuraad ne kaand karne ki koshish ki thi."
Dushyant ki baat par yaswant muskurate huye utha aur table se apni cap ko utha kar baahar ki taraf chal diya. Kuch hi der me dono police gipsy me baith kar nikal pade. Dushyant apni gipsy ko thane me hi khadi rahne diya tha.

Ab Aage,,,,,


Sub-inspector yaswant ne do manjila makaan ke saamne apni police gipsy ko roka. Gipsy ke rukte hi dushyant aur yaswant apni apni taraf ka darwaja khol kar niche utre. Dushyant ne makaan ko ek sarsari nazar se dekha aur fir yaswant ke piche chal diya. Kuch hi palo me dono makaan ke darwaje ke paas pahuch gaye. Yaswant ne darwaje ko bajaya to kuch hi der me ek aurat ne darwaja khola. Darwaze ke baahar do wardi dhaari police walo ko dekh kar us aurat ke maathe par kuch palo ke liye pareshani ke bhaav ubhre fir samaanya ho gayi wo.

"Aap log yaha.?" Us aurat ne dushyant ko dekhne ke baad yaswant se kaha_____"Kahiye kya baat hai.? Mere pati ghar par nahi hain."
"Wo ham case ke silsile me." Yaswant ne santulit bhaav se kaha_____"Kuch zaruri tahqiqaat ke liye aaye hain."

"Ab kis baat ki tahqiqaat karne aaye hain aap log.?" Aurat ne na samajhne wale bhaav se pucha_____"Jisne jurm kiya tha use to aap yaha se le hi gaye hain. Fir ab kya rah gaya hai.?"
"Kya yahi darwaze par hi khada rakhegi hame.?" Yaswant ne kaha_____"Behtar hota agar ham andar chal kar baat kare."

Yaswant ki is baat se aurat ne kuch pal socha fir ek taraf hat kar usne un dono ko andar aane ka raasta de diya. Kuch hi der me wo sab andar the. Aurat ne un dono ko chairs par baithaya aur chaay paani ke liye pucha jis par dono ne mana kar diya.

"Kuch bhi batane se pahle." Yaswant ne dushyant ki taraf ishara karte huye us aurat se kaha_____"Main aapko bata du ki ye mere dost hain aur police me inspector hain. Ab aap ye soch rahi hongi ki main inke bare me aapko kyo bata raha hu to uska jawaab ye hai ki jis shakhs ko maine aapke yaha se chori aur aapki beti ke sath zor zabardasti karne ke jurm me giraftaar kiya hai us shakhs ko waise hi jurm me inspector dushyant bhi do mahine pahle giraftaar kar chuke hain. Kahne ka matlab ye ki do mahine pahle wo shakhs kahi dusri jagah kiraye se rahta tha aur fir ek raat usne us ghar me bhi chori ki aur apne makaan maalkin ki bahu ke sath zor zabardasti ki. Jiska nateeja ye nikla ki makaan maalkin ne police thaane me phone kiya aur us shakhs ko inke hawale kar diya."

"Bade aashcharya ki baat hai." Aurat jo ki mahesh ki dusri biwi thi aur jiska naam gayatri tha usne kaha_____"Kitna ghatiya insaan hai wo kameena. Aisa ghinauna jurm karte huye do do baar pakda gaya fir bhi sharm se mar nahi gaya."

"Sabse bade aashcharya ki baat to abhi aapko sunna baaki hai mrs gayatri ji." Yaswant ne kaha_____"Wo aashcharya ki baat ye hai ki police ki itni kutaayi ke baavjud wo shakhs yahi kah raha hai ki usne kuch nahi kiya aur yahi baat wo tab bhi kah raha tha jab do maheene pahle aise hi jurm me wo inspector dushyant ke hatthe chadha tha. Inka kahna hai ki usne last tak kabool nahi kiya ki usne wo sab kiya tha aur is baar bhi wo yahi kah raha hai ki usne kuch nahi kiya."

"Ye aap kya kah rahe hain.?" Gayatri ne hairat se aankhe chaudi karte huye kaha_____"Jab ki sach ye hai ki usi ne hamare ghar me chori ki thi aur meri beti ke sath zor zabardasti karte huye uski ijjat lootne ki koshish bhi ki thi."

"Aap apni jagah bilkul sahi hain gayatri ji." Yaswant ne kaha____"Aur khud mera bhi yahi maanna hai magar aaj jab mere ye dost mujhse milne thane me aaye to us wakt main usi shakhs ki dhulaayi me laga hua tha. Baad me jab inhone mujhse uske bare me pucha to maine bataya ki wo kaun hai aur kis jurm me uski dhulaayi ho rahi hai. Tab inke dimaag me jane kya aaya ki ye mujhse usko dekhne ki zid karne lage aur jab lockup me pahuch kar inhone use dekha to ye use pahchaan gaye. Tab inhone mujhe uske bare me bataya ki do maheene pahle same isi jurm me inhone use giraftaar kiya tha. Magar itni kutaayi ke baad bhi wo yahi kahta raha tha ki usne kuch nahi kiya. Ab sawaal ye hai ki agar usne nahi kiya to kisne kiya.?"

"Wo jhooth bol raha hai inspector sahab." Gayatri ne zor dete huye teekhe lahje se kaha_____"Mujhe to wo shuru se hi khal raha tha. Uska ajeeb tarah se chup rahne ka yahi matlab ho sakta hai ki zarur apne andar yahi sab karne ki planning kiye baitha tha wo."

"Duniya bahut badi hai gayatri ji." Sahsa is bich pahli baar dushyant ne apna muh khola, bola_____"Aur is duniya me tarah tarah ke aise log paye jate hain jo ek se badh ek vichitra type ke gudo se bhare hain. Unme se hi ek ye shakhs hai jiska naam hai avinash. Aap ye maanti hain na ki koi bhale hi chahe kitna hi bardaast karne ki kshamta rakhta ho magar wo bhi aakhir toot hi jata hai. Kahne ka matlab ye ki police jab apni thirld degree ka prayog karti hai to ache se achha mujrim bhi muh faad kar apna gunaah kabool kar leta hai. Itna hi nahi balki aisa bhi hota hai ki jisne jurm nahi bhi kiya hota wo bhi police ki maar ke dar se jurm kabool kar leta hai magar avinash ke maamle me aisa nahi hai. Jab maine use torture kiya tha tab main khud hairaan tha ki ye kis mitti ka bana hua hai aur last me mujhe yahi samajh aaya ki ye banda apni jaan to de dega magar wo kabool nahi karega jo shayad isne kiya hi nahi hai."

Dushyant ki in baato par gayatri kuch bol na saki balki ajeeb bhaav se dono ki taraf dekhti rahi. Kuch der waha par khamoshi chhayi rahi uske baad dushyant ne gahri saans lete huye kaha.

"Khair chhodiye is baat ko." Dushyant ne jaise pahlu badalne ki garaj se kaha______"Ham zara ek baar fir se uske kamre ka muaayna karna chaahte hain, sath hi is baat ki bhi jaanch karna chahte hain ki us raat baahar se koi yaha aaya to nahi tha."

"Ye aap kya kah rahe hain.?" Gayatri ji ke chehre par chaunkne ke bhaav ubhre, boli______"Baahar se koi yaha kyo aayega.?"
"Dekhiye ham dono pahaluo par gaur kar rahe hain." Dushyant ne samjhane wale bhaav se kaha_____"Is baat par bhi ki wo jhooth bol raha hai ki nahi aur is baat par bhi ki agar wo aur aap dono apni apni jagah par sahi hain to fir aisa kaun hai jisne us raat aa kar yaha par un dono waardaato ko anjaam diya aur fir avinash ko fasa kar yaha se khisak liya.?"

Dushyant ki baat par gayatri ke chehre par hairaani ke bhaav ubhre aur usne kuch sochte huye un dono ko muaayna kar lene ki ijazat de di. Ijazat milte hi dono chairs se ek sath uthe aur fir yaswant apne dost dushyant ko le kar us kamre ki taraf badh chala jaha avinash rah raha tha. Avinash ka kamra first floor par tha. Kuch hi der me dono uske kamre me pahuch gaye. Dushyant ki nazar me scene waisa hi tha jaise usne mrs babita ke yaha dekha tha. Matlab ki avinash ke kamre me kuch nahi tha. Na koi bed aur na hi kahi par koi samaan. Dono kafi der tak kamre me har jagah dekhte rahe uske baad wo dono kamre se baahar aaye. Kamre ke baahar baaki ka chhat khula hua tha. Wo dono badi baariki se chhat ke kinare par lagi boundary par aur uske baahar dekh rahe the.

"Achha ek baat batao pyare." Dushyant ne boundary ke baahar sadak par dekhne ke baad kaha______"Tumne yaha ke finger prints liye the.?"
"Yaar finger prints lene jaisi baat hi nahi thi." Yaswant ne kandhe uchkaate huye kaha______"Case bilkul saaf tha is liye mujrim ko giraftaar kiya aur apne sath le gaya. Tumhare aane se pahle tak apne dimaag me ye baat thi hi nahi ki aisa bhi kuch hai uske maamle me."

"Chalo koi baat nahi." Dushyant ne kaha______"Agar koi yaha aaya bhi hai to wo niche main gate se to aane se raha kyo ki waha gate andar se band hi raha hoga. Matlab yaha aane ka uske paas yahi ek raasta tha. Niche sadak se wo paani ke pipe dwara yaha chhat par aaya aur fir mumkin hai ki usne avinash ke kamre me bhi jhaank kar dekha hoga. Uske baad wo seedhiyo se niche gaya aur fir waha se gayatri ji ki beti ke kamre me."

"Nahi dost." Yaswant ne inkaar me sir hilate huye kaha____"Wo pahle gayatri ji ke kamre me gaya tha. Kyo ki gahne unke hi chori huye the."
"Oh haan." Dushyant ko jaise kuch yaad aaya, bola_____"Gayatri ji ki beti ke paas bhala gahne kaha se hote.? Uski to abhi shadi hi nahi huyi hai. Khair to wo pahle gayatri ji ke kamre me gaya aur waha se usne gahne churaye. Uske baad wo waapas aaya aur avinash ke kamre me usne wo sare gahne rakh diye. Uske baad jab wo waapas niche gaya to is baar wo gayatri ji ki beti ke kamre me gaya aur waha par wo unki beti ke sath zor zabardasti karne laga. Is zor zabardasti me unki beti cheekhi chillaayi jisse gayatri ji aur unke pati ki neend khul gayi aur wo bhaagte huye apni beti ke kamre me aaye honge. Beti ke kamre ke andar ka nazara dekh kar pahle to wo bhauchakke se rah gaye honge uske baad wo us shakhs se apni beti ko bachane ke liye aage badhe honge magar us shakhs ne jaise hi dekha ki ab wo pakda jayega to wo kisi tarah kamre se bhaag nikla. Ab kyo ki use avinash ko fasana tha is liye wo seedhiyo se upar ki taraf hi bhaga, halaaki wo niche main gate se bhi baahar bhaag sakta tha. Khair jab wo seedhiyo se upar ki taraf bhaga to uske pichhe gayatri ji bhi apne pati ke sath uska pichha karte huye bhaagi hongi. Udhar wo upar pahuchte hi us taraf se chhu mantar ho gaya jaha se wo aaya tha. Jabki gayatri aur mahesh ji avinash ke kamre me pahuch gaye. Uske baad unhone avinash ke sath wahi kiya jo aisi situation me unhe karna chahiye tha."

"Bilkul." Yaswant ne kaha______"Bhala wo dono ye kaise soch sakte the ki jise wo apradhi maan kar use police ke hawale kar rahe hain wo bechara to bewajah hi fas gaya tha. Jabki asli karta dharta to koi aur hi tha uski shakal me."

"Waise mera dawa hai." Dushyant ne kaha_____"Ki hame yaha par kahi bhi uske finger prints nahi milne wale. Seedhi si baat hai pyare ki jis shakhs ne ye sab kar ke avinash ko do do baar fasaya wo koi bahut hi bada shaatir hoga aur use achhi tarah pata hai ki uske khilaaf maujood chhota sa bhi saboot uski pol khol dega aur police ko us tak pahuchne ka raasta de dega."

"Baat to tumhari thik hai." Yaswant ne kaha_____"Magar sawaal hai ki ham kaise us tak pahuchege.?"
"Agar sach yahi hai." Dushyant ne kaha_____"To ek din zarur pahuchege pyare. Mujrim chaahe kitna bhi chalaak ya shaatir kyo na ho wo apne khilaaf koi na koi suraag zarur chhod ke jata hai jisse wo kanoon ki chapet me aa sake. Khair abhi to hame avinash se puchhna padega ki kya uske sath aisa koi kar sakta hai.?"

Thodi der aur idhar udhar ka muaayna karne ke baad dono niche aa gaye. Gayatri ji ko shukriya bol kar dono gipsy me baithe aur waapas thane ki taraf chal pade.

"Iske pahle." Raaste me driving kar rahe yaswant ne dushyant ki taraf dekhne ke baad kaha_____"Jab tumne use pakda tha aur tumhe ye sab laga tha to kya tumne is bare me tahqiqaat nahi ki thi.?"

"Ab tumhe kya bataye pyare.?" Dushyant ne apne andaz me kaha_____"Ham to isi maamle me apna sir khapa rahe the magar hamara muh laga hawaldaar bhanu bechara tang aa gaya tha. Asal me wo pichhle ek maheene tak avinash ki khoj me bhatka tha magar is kambakht ka kahi pata hi nahi chal saka tha. Hamne bhi socha ki kyo bekaar me apna sir khapaye magar kya pata tha ki tumse milte hi fir se ye chakkar shuru ho jayega."

"Waise ab avinash ka kya kare.?" Yaswant ne kaha______"Mujhe nahi lagta ki ab use dhone ka koi faayda hoga."
"Agar us par koi case file nahi kiya hai." Dushyant ne kaha_____"To chhod do use. Ab dusre tarike se is maamle me usse puchhtaachh karte hain."

"Thik hai fir." Yaswant ne kaha______"Main aaj hi chhod duga use magar use nazar se door rakhna bhi sahi nahi hoga."
"Sahi kaha." Dushyant ne kaha______"Pichhli baar sala aise gayab hua tha jaise ki use ye zameen hi kha gayi thi. Mahesh ke yaha se to ab iska dana pani uth hi gaya hai is liye soch raha hu ki apne paas hi rakh leta hu use."

"Thik hai jaisi tumhari marzi." Yaswant ne kaha_____"Magar mujhe bhi batate rahna uske is maamle ke bare me."
"Zarur batayenge pyare." Dushyant ne muskurate huye kaha_____"Tum to apni jaan ho pyare. Tum apni jaan na hote to bhala ham kaise apni tasreef ka tokra liye tumhare thane me aate aur jab yaha aate hi nahi to bhala hame ye kaise pata chalta ki jis namuraad hasti ki khoj me hamara hawaldaar ek maheene tak bhatakte huye kalpa tha wo yaha mil jayega. Iska matlab ye hua pyare ki hamari kismat me bhagwan ne tumhe hamari jaan isi liye pahle se bana kar likh diya tha ki ek din ham yaha apni jaan se milne aaye aur hamare hawaldaar ko tadpane wala wo shakhs yaha hame mil jaye."

"Tum ye bakwas karna kab band karoge dushyant.?" Yaswant ne maano kheejhte huye kaha_____"College me bhi isi tarah non-stop shuru ho jate the aur aaj bhi waise hi shuru ho jate ho. Yaar kabhi to serious ho jaya karo."

"Ye dushyant the great ka style hai pyare." Dushyant ne jaise garv se kaha______"Ham serious situation me bhi serious nahi hote kyo ki apne ko serious reaction dena zara bhi pasand nahi hai. Khair chhodo itni badi goodh gyaan ki baate tum nahi samjhoge. Haan to ham ye kah rahe the ki us avinash ko ham apne yaha rakhenge aur fir usse bade pyaar se puchhenge ki uske sath ye jo kuch do do baar ho chuka hai to aisi meharbaani uske sath kaun kar sakta hai.? Aakhir koi to uska itna bada chaahne wala hoga jo us par aisi meharbaaniya karta hai."

"Ye to pakki baat hai dushyant." Yaswant ne kaha_____"Bewajah koi bhi is tarah kisi ko nahi fasana chahega. Matlab saaf hai ki koi to aisa hai jo avinash ko apna dushman samajhta hai aur baar baar use is tarah se fasa raha hai."

"Lekin sabse bada sawaal to ye hai pyare." Dushyant ne apne chir parichit andaaz me kaha______"Ki kya avinash ne khud kabhi na is baare me socha hoga.? Jaha tak hamari jaankaari ka maamla hai to us hisaab se uska apna koi nahi hai is faani duniya me aur na hi wo kisi se koi matlab rakhta hai. Ab sochne wali baat hai ki aise bande se kisi ki aisi kya dushmani ho jayegi ki wo ise is tarah se fasaye aur police dwara iski pelaayi karwaye.?"

"Mujhe to lagta hai." Yaswant ne sochne wale andaaz se kaha_____"Ki ye aadmi hamse hi nahi balki har kisi se apne bare me bahut kuch chhupa raha hai. Matlab iski life me aisa kuch ho chuka hai jiske chalte koi iske sath aisa kar raha hai aur ye is bare me jaanta bhi hai magar kisi ko batana nahi chaahta."

"Waaah meri jaan kya baat kahi hai tumne." Dushyant ne muskurate huye kaha______"Tumhari in baato se khush ho kar ham tumhe ye dua dete hain ki tumhare dher sare biwi bachche ho aur wo sab zindagi bhar tumhara khoon piye."

"Unse zyada to tum mera khoon pi rahe ho." Yaswant ne gusse se dushyant ki taraf dekhte huye kaha______"Jane aaj subah subah kiska muh dekh liya tha maine ki mere man me tumse milne ka khayaal aa gaya tha."

"Aise to na bolo pyare." Dushyant ne maano dukhi bhaav se kaha______"Tum nahi jaante ki ham tumse kitna pyaar karte hain. Haan ye alag baat hai ki is pyaar me ham tumhare sath wo wala pyaar nahi kar sakte. Kyo ki kuch bhi ho aakhir tum ho to ek mard hi aur wo wala pyaar to kisi aurat se karte hain na.?"

"Shukar hai ki main mard hi hu." Yaswant ne kaha_____"Warna agar aurat hota to jane kab ka tum mera rape kar chuke hote."
"Ab itne bhi bure din nahi aaye hain hamare." Dushyant ne hath ko jhatakte huye kaha______"Ki ham kisi abla naari ka rape hi kar daale. Are jis din maamla hamari bardaast ke baahar ho jayega to ham kisi kuwari kanya se shadi kar lenge pyare. Fir din raat uske sath suhaagraat manayenge."

"Ab agar tumhara drama ho gaya ho." Yaswant ne uski baato par zara bhi dhyaan na dete huye kaha______"To kuch case ke bare me baat kare.??"
"Bhaad me jaye tumhara case pyare." Dushyant ne naraazgi dikhate huye kaha_______"Ham to ab tabhi case ke bare me baat karenge jab ham kisi kuwari kanya ke sath din raat suhaagraat mana lenge."

Yaswant daant pees kar rah gaya. Dushyant ki rang rang se waaqif tha wo. Use pata tha ki dushyant ne agar ek baar drama shuru kiya to fir wo chup nahi ho sakta tha. Uske baad koi kitna bhi chaahe dushyant ko sahi line par nahi la sakta tha. College life me wo sabko aise hi pakata tha. Iske baavjud log usse kinara nahi karte the. Kyo ki beshak wo dramebaaz tha aur pakata tha magar dimaag ka tez tha aur padhaayi me sabse aage. Ladkiya us par marti thi magar wo kisi ko zyada bhaav nahi deta tha. Jabki uske sabhi dost usse yahi kahte ki wo agar kisi ladki ke sath mauj nahi karna chaahta to kam se kam kisi ko hame hi daan kar do. Dosto ke aisa kahne par usne kayi baar aisa kiya bhi tha.

Dushyant ekdam se chup ho gaya tha. Yaswant jaanta tha ki ab usse chaahe jitni baate karo wo kuch nahi bolega. Is liye wo khud bhi chup ho gaya tha. Aise hi kuch der me wo dono thane pahuch gaye. Gipsy se utar kar dono thane ke andar aaye. Yaswant ne ek police wale ko bol kar avinash ko lockup se nikaal lane ko kaha. Kuch hi der me police wale ke sath luta pita avinash aaya. Use dekh kar dushyant ne ek police wale se uska huliya sahi karne ke liye kaha.

Kareeb bees minute me jab avinash aaya to is baar uska huliya thik thaak nazar aaya. Police wala use maano nahla dhula kar aur saaf suthra chaka chak karke laya tha. Avinash apne nature ke hisaab se chup hi tha. Uske chehre par koi bhaav nahi the. Aisa lag raha tha jaise use kisi prakaar ka na koi dukh tha aur na hi sukh. Kuch der baad dushyant use le kar thane se baahar ki taraf chal pada. Yaswant bhi uske peeche peeche baahar tak aaya.

"Agar koi progress ho." Dushyant ko uski gipsy ke paas jate dekh peeche se yaswant ne awaaz dete huye kaha_____"To mujhe phone zarur karna aur haan tumhare liye koi achhi si kuwari kanya zarur khojuga main."

"Sale pahle apne liye to khoj le." Dushyant ne palat kar usse kaha______"Meri fikar mat kar. Yaha chaaro taraf se ladkiyo ki line lagi huyi padi hai....samjhe.?"
"Haan wo to mujhe achhe se pata hai." Yaswant ne muskurate huye kaha______"Sala nautankibaaz."

Yaswant ki baat par dushyant bas muskura kar rah gaya. Uske baad usne avinash ko gipsy me baithne ko kaha to wo uski taraf hairaani se dekhne laga. Avinash ke is tarah dekhne se dushyant ne use policiya tone me baithne ko kaha to is baar avinash chup chaap uski gipsy me baith gaya. Uske paas uska ek bag tha jo hamesha uske sath hi rahta tha. Uske baithte hi dushyant ne gipsy ko start karke aage badha diya.

<>•<>•<>

Inspector dushyant avinash ko le kar apne ghar pahucha. Dushyant ko ye ghar ya ye kahe ki ye flat govt ki taraf se mila tha. Jabki uska apna ghar aur uske ghar wale sab gaav me the. Yaha wo akele hi rahta tha. Dushyant ki umar tees ke paar ho chuki thi magar ab tak usne shadi nahi ki thi. Aisa nahi tha ki wo shadi karna nahi chaahta tha balki iski vajah ye thi ki use koi ladki pasand nahi aati thi aur agar koi pasand aati bhi thi to uska nature use pasand nahi aata tha. Wo aisi ladki chaahta tha jo dikhne me khubsurat to ho hi magar usse zyada khubsurat uska nature ho. Uske ghar wale uski shadi ke liye bahut pareshan the magar dushyant ki bhi zid thi ki wo shadi karega to waisi hi ladki se jis ladki me uski chaahat ke anusaar khubi ho.

Dushyant ke flat me ek kamra, ek kitchen, ek bathroom aur ek dryingroom tha. Ek chhota sa kamra aur tha jisme uska kuch zaruri samaan aur dher sari kitaabo se bhari ek aalmaari thi. Avinash ko apne sath lane ke baad usne wo chhota kamra avinash ko dene ke liye socha. Is liye usne avinash ko bhi kaam par lagaya aur us chhote kamre se apna samaan aur aalamari apne kamre me shift karwaya. Lagbhag aadhe ghante me sara samaan rakhne ke baad us kamre ki saaf safaayi bhi ho gayi. Dushyant bhale hi ek police inspector tha magar usne is kaam me avinash ka barabar sahyog kiya. Usne ye bilkul bhi nahi socha ki avinash do do baar kisi jurm ki saza kaat chuka hai. Uski nazar me wo ek insaan hi tha jo kisi vajah se sataya ja raha tha. Filhaal to wo yahi samajh raha tha uske bare me. Baaki sach kya hai iska to use bhi pata nahi tha magar ek insaaniyat ke taur par wo usko apne sath rakhna chaahta tha.

Dushyant ke kitchen me khana banane ka sara samaan tha magar wo zyadatar baahar hi khana khata tha. Use khana banana zyada pasand nahi tha aur na hi use achhe se khana banana aata tha. Raasan tha nahi is liye usne kisi ko phone kar ke abhi ke liye khana magwa liya tha. Usne avinash se pucha ki wo khana bana leta hai to usne pahle to yahi kaha ki wo hamesha baahar ka hi khana khata tha lekin zarurat padne par wo thik thaak khana bana leta hai. Avinash ki is baat se dushyant ne kaha ki wo raasan ka sara samaan la dega.

Avinash ko bhi samajh aa gaya tha ki use ab dushyant ke sath hi rahna hai. Halaaki yaha rahne ka uska zara bhi man nahi tha magar ek police wale ko inkaar karna uske bas ka na tha. Wo to ye sach kar hi man hi man ghabra raha tha ki kahi uski vajah se dushyant par koi baat na aa jaye. Use ye to pata nahi tha ki aisa kaise hoga magar wo apni kismat ko achhi tarah jaanta tha. Jab se usne hosh samhala tha tab se usne yahi dekha tha ki uski kismat duniya ke har badnaseeb aadmi se zyada kharaab hai. Shayad yahi vajah thi ki wo kisi se baat nahi karta tha balki sirf apne aur apne kaam se matlab rakhta tha. Use kisi ki sahaanubhuti ki koi zarurat nahi thi. Wo jaisa bhi tha waisa hi rahna chaahta tha. Uski soch sirf itni thi ki do wakt ka khana use mil jaye baaki use kisi bhi baat se koi matlab nahi tha. Use apni life me kya karna hai ya kya banna hai is baat se bhi use koi matlab nahi tha. Aisi soch wale is insaan me ek khoobi ye thi ki ye kisi bhi prakaar ka nasha nahi karta tha. Warna aise log zyadatar nashe ke aadi zarur hote hain.

Shaam dhal chuki thi aur khana bhi aa chuka tha. Is liye dushyant aur avinash ne khana khaya uske baad free ho kar dono drying room me rakhe sofo par baith gaye. Balki ye kaha jaye to zyada uchit hoga ki dushyant ke kahne par avinash bhi uske saamne wale sofe par baith gaya. Dushyant cigarette pita tha is liye usne avinash ko bhi offer ki magar usne saaf inkaar kar diya, ye kah kar ki wo kisi bhi tarah ka nasha nahi karta. Dushyant uski is baat par bas muskura kar rah gaya tha.

"Tumhe yaha par comfortable to feel ho raha hai na avinash pyare.?" Dushyant ne cigarette ke dhuye ko hawa me udaane ke baad apne andaaz me kaha______"Khair ek baat zara kaan laga kar sun lo bhai ki yaha se baahar jana to zarur magar bhaagne ke iraade se bilkul nahi. Kyo ki us surat me tumhe taklif bhi ho sakti hai."

"Meri to ye samajh me nahi aa raha sahab." Avinash ne dheemi awaaz me kaha______"Ki aap mujhe yaha laye kyo hain.?"
"Itna zyada mat socho pyare." Dushyant ne kaha_____"Bas yu samjho ki hame tumse thik usi tarah pyar ho gaya hai jaise kisi ladke ko kisi haseen ladki se ho jata hai aur ab jab ki hame tumse pyar ho hi gaya hai to bhala ham tumhe apne se door kaise rakh sakte hain.?"

"Ji main kuch samjha nahi." Avinash maano chakra sa gaya.
"Hamne abhi samjhaya kaha pyare.?" Dushyant ne cigarette ka kash lene ke baad uske dhuye ko hawa me udaate huye kaha_____"Samjhayenge to ham baad me. Abhi to tum bas yu samjho ki hame tumse thik usi tarah pyar ho gaya hai jaise....oh sorry dear...lagta hai ye baat ham iske pahle bhi kah chuke hain. Haan to dusri baat kahte hain....nahi balki puchhte hain. Haan to ham ye puchh rahe hain ki tumhare sath ye jo kuch bhi do do baar ho chuka hai uske bare me tumhara apna kya khayaal hai.?"

"Ji main abhi bhi kuch nahi samjha sahab." Avinash ke chehre par uljhan ke bhaav ubhar aaye the.
"Kya tum sach me itne buddhu type ho pyare.?" Dushyant ne bura sa muh banaya, bola_____"Ki tumhe hamari paani ki tarah saaf baate samajh me hi nahi aayi.? Aree my dear ham ye puch rahe hain ki tum jo do do baar police ke hatho dhul diye gaye uske bare me tumhare apne kya vichaar hain.?"

"Ohh to aap." Avinash ko jaise ab samajh aaya, bola_____"Us jurm ke liye huyi meri kutaayi ke bare me puch rahe hain jo jurm maine kiya hi nahi tha.?"
"Oh my dear." Dushyant ne khush hote huye kaha_____"Tum to sach me samajhdaar ho gaye. Yes...ham usi ke bare me tumhare vichaar jaanna chaahte hain. Kya lagta hai tumhe.? Hamara matlab hai ki agar tumne wo jurm kiye hi nahi to kyo tumhe fasna pada ya ye kahe ki fasa diya gaya.?"

"Is bare me bhala main kya kah sakta hu.?" Avinash ne jaise laaparwaahi se apne kandhe uchkaye, bola______"Haan ye zarur samajhta hu ki ye bhi meri kismat ka ek bura hissa hai."

"Paheliya mat bujhao pyare." Dushyant ne kaha_____"Wo kya hai na ki duniya me ek yahi aisi cheez hai jo hamare khopde ke upar se chhu mantar ho jati hai. Is liye meharbani karke saaf saaf bataao ki ye sab tumhari kismat ka bura hissa kaise ho gaya jabki hame lagta hai ki isme kismat jaisi koi baat hi nahi hai."

"Mujhe is bare me kuch nahi pata sahab." Avinash ne jaise bebas bhaav se kaha_____"Main nahi jaanta ki har baar mere sath aisa kyo ho jata hai.?"
"Har baar se tumhara kya matlab hai pyare.?" Dushyant man hi man chaunka, bola______"Hamari jaankaari me to aisa do hi baar hua hai na tumhare sath.?"

"Do baar nahi sahab." Avinash ne ye kah kar jaise dhamaka kiya, bola______"Balki aisa kayi baar hua hai aur har baar isi jurm me mujhe police ke hawale kar diya gaya. Uske baad har baar police ne mere sath wahi kiya jo aapne aur un dusre sahab ne kiya...matlab ki mujhe dhobi ghaat ke kapdo ki tarah dhoya."

"Ye to sach me hairatangej baat huyi pyare." Dushyant sach me uski baato se hairaan nazar aaya tha, bola______"Achha ye bataao ki aisa tumhare sath kab se ho raha hai aur kya tumne kabhi is bare me jaanne ki ya pata karne ki koshish nahi ki ke aisa kyo hota hai tumhare sath ya aisa kaun kar raha hai tumhare sath.?"

"Shuru shuru me." Avinash ne gambheerta se kaha_____"Jab mere sath aisa do teen baar hua to maine pata karne ki bahut koshish ki thi magar mujhe nakaami hi mili. Matlab main is baat ka kuch pata lagane me safal nahi hua. Aakhir main kaise pata lagata sahab jab mujhe yahi nahi pata ki mera kaun dushman hai.? Main jaisa aaj hu waisa hi kal bhi tha. Kal bhi main kisi se koi matlab nahi rakhta tha aur aaj bhi nahi rakhta. Apni samajh me maine aaj tak kisi ke sath kuch bura nahi kiya to bhala main kaise pata lagata ki kaun mujhe is tarah har baar fasa deta hai.?"

"Tum to hamare dimaag ko chakar ghinni banane par tule ho pyare." Dushyant ne ajeeb bhaav se kaha______"Aisa bhala kaise ho sakta hai ki koi bina vajah tumhe aise jurm me ek baar nahi balki baar baar fasaye.? Ek baat tum achhi tarah samajh lo dear ki duniya me kuch bhi bewajah nahi hota. Matlab saaf hai ki tumhare sath jo koi bhi ye kar raha hai uske liye uske paas koi na koi vajah zarur hai aur ham usi vajah ka pata karna chaahte hain. Agar vajah pata chal gayi to samjho tumhare us chaahne wale ki gardan palak jhapakte hi hamare hath me aa jayegi jo tumse itna pyar karta hai."

Dushyant ki baate sun kar avinash chup rah gaya. Uske chehre par kayi tarah ke bhaavo ka aana jana nazar aaya. Jaise wo kisi bare me badi gahraayi se soch raha ho. Dushyant bade gaur se uske chahre ke bhaavo ko read kar raha tha.

"Kaha kho gaye pyare.?" Dushyant ne chutki baja kar uska dhyaan apni taraf aakarshit karte huye kaha______"Dekho agar kisi haseena ki zulfo ke khayaalo me kho gaye ho to hame bhi uske bare me bataao. Ham bhi to jane ki usme aisi kya khoobi hai jiske chalte tum uske khayaalo me is tarah kho gaye.?"

"Ji main bas." Avinash ne chaunkte huye kaha_____"Aapki baato ke bare me soch raha tha ki aisa kaun ho sakta hai jo mujhe har baar is tarah ke jurm me fasa deta hai.?"

"To sochne se kya pata chala pyare.?" Dushyant ne lambi saans kheechte huye kaha______"Kya aise kisi jaan nisaar ki tasveer nazar aayi tumhe.?"
"Nahi sahab." Avinash ne inkaar me sir hilate huye kaha_____"Mujhe aise kisi bhi byakti ke bare me kuch bhi nahi pata. Agar pata hota to aap khud sochiye ki kya main khud uske paas ja kar usse na puchhta ki wo mere sath har baar aisa kyo kar raha hai.?"

"Baat to tumhari durust hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Par aisa bhi to ho sakta hai ki tumhe is sab ke bare me pata to sab kuch hai magar tum hame batana hi nahi chaahte."
"Nahi sahab." Avinash ne kaha_____"Aisi koi baat nahi hai. Bhala main aapse kyo nahi batana chaahuga.? Duniya me bhala aisa kaun sa aadmi hai jo itni maar sahne ke baad bhi apna sach na bataye.? Main sach me aapse kuch nahi chhupa raha. Har baar itni maar jhelne ka shauk kise ho sakta hai.? Har baar dusri jagah mujhe naya kamra rahne ke liye kiraye se lena padta hai aur har baar kahi dusri jagah kaam talaash karna padta hai. Har baar aisi pareshani uthana kaun pasand karega sahab.? Main to bas yahi chaahta hu apni zindagi se ki kahi to mujhe aisi jagah mile jaha main sukoon se rah saku aur is tarah ka haadsa mere sath na ho."
Avinash ki baato ka asar tha ya usme dushyant ko sachchaayi nazar aayi magar itna zarur hua ki usne usse dusra koi sawaal nahi kiya. Balki use kuch hidaayate de kar apne kamre me sone ke liye kah diya. Avinash sofe se utha aur chup chaap apne us chhote se kamre ki taraf badh gaya. Kamre me koi bed nahi tha. Halaaki avinash ki to aadat pad chuki thi farsh par sone ki is liye wo kamre me pahucha aur bag se ek chaddar nikaal kar use kamre ke farsh par bichhaya aur us par let gaya. Jabki dushyant wahi drying room me hi kisi gahre khayaalo me gum baitha raha.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 05


Ab tak,,,,,

"Baat to tumhari durust hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Par aisa bhi to ho sakta hai ki tumhe is sab ke bare me pata to sab kuch hai magar tum hame batana hi nahi chaahte."
"Nahi sahab." Avinash ne kaha_____"Aisi koi baat nahi hai. Bhala main aapse kyo nahi batana chaahuga.? Duniya me bhala aisa kaun sa aadmi hai jo itni maar sahne ke baad bhi apna sach na bataye.? Main sach me aapse kuch nahi chhupa raha. Har baar itni maar jhelne ka shauk kise ho sakta hai.? Har baar dusri jagah mujhe naya kamra rahne ke liye kiraye se lena padta hai aur har baar kahi dusri jagah kaam talaash karna padta hai. Har baar aisi pareshani uthana kaun pasand karega sahab.? Main to bas yahi chaahta hu apni zindagi se ki kahi to mujhe aisi jagah mile jaha main sukoon se rah saku aur is tarah ka haadsa mere sath na ho."
Avinash ki baato ka asar tha ya usme dushyant ko sachchaayi nazar aayi magar itna zarur hua ki usne usse dusra koi sawaal nahi kiya. Balki use kuch hidaayate de kar apne kamre me sone ke liye kah diya. Avinash sofe se utha aur chup chaap apne us chhote se kamre ki taraf badh gaya. Kamre me koi bed nahi tha. Halaaki avinash ki to aadat pad chuki thi farsh par sone ki is liye wo kamre me pahucha aur bag se ek chaddar nikaal kar use kamre ke farsh par bichhaya aur us par let gaya. Jabki dushyant wahi drying room me hi kisi gahre khayaalo me gum baitha raha.

Ab Aage,,,,,


Dusre din subah dushyant ki aankh khuli hi thi ki tabhi uske kamre ka darwaza baahar se khatkhataya gaya. Pahle to wo soch me pad gaya ki uske kamre ka darwaza kaun is tarah khatkhata sakta hai fir ekdam se uske dimaag ki batti jali aur use yaad aaya ki uske flat me uske alawa bhi ek shakhs hai jiska naam avinash hai.

Dushyant ne sirhaane rakhi apni hand watch ko utha kar time dekha to subah ke 06:15am ka wakt tha. Time dekh kar use hairaani huyi ki itni subah avinash uske kamre ka darwaza kyo khatkhata sakta hai.? Uska policiya dimaag palak jhapakte hi sakriya ho gaya. Ye to use pata hi tha ki avinash koi maamuli aadmi nahi tha balki jane kitni baar wo jurm karne par kaanoon se saza pa chuka tha. Ye alag baat hai ki jo jurm us par lage the wo sarasar jhoothe the uske anusaar.

Dushyant apne bed se is tarah utra ki uske utarne par bed ne zara si bhi chu cha ki awaaz na ki aur fir wo be-awaaz fauran hi darwaze ke paas pahucha. Tabhi darwaza fir se khatkhataya gaya aur sath hi avinash ki awaaz bhi aayi. Avinash ne use chaay pine ke liye 'sahab' kah kar awaaz diya tha. Idhar avinash ki ye baat sun kar dushyant ekdam se dheela pad gaya. Man hi man bola ki 'kya dushyant pyare subah subah itni khatarnaak jasusi karne ko kisne kaha tha tumhe?'

Dushyant ne normal ho kar darwaza khola to dekha baahar avinash ek chhoti si plate me chaay ka cup liye khada tha. Dushyant ye dekh kar man hi man chaunka ki itni subah avinash uske liye chaay kaha se le ke aa gaya.?

"Sahab." Avinash ne bahut hi narm aur shaant lahje me kaha_____"Maine aapke liye chaay banaya hai. Mujhe laga aapko subah uthte hi chaay pine ki aadat hogi is liye bana diya."

"Ham kahi koi khwaab to nahi dekh rahe pyare.?" Dushyant ne apni aankho ko sikodte huye kaha______"Na...hargiz nahi. Hame achhi tarah yaad hai ki hamne apni zindagi me aaj tak kabhi koi khwaab nahi dekha aur iska hame behad dukh bhi hai."

"Ye aap kya kah rahe hain sahab.?" Avinash ke maathe par pareshani ke bhaav ubhar aaye the.
"Bahut zaalim ho avinash pyare." Dushyant ne jaise shikayat karte huye kaha_____"Tumhe ek baar me hamari koi baat samajh me kyo nahi aati.?"

"Dhire dhire aane lagegi sahab." Avinash ne kaha_____"Lijiye chaay pi lijiye nahi to thandi ho jayegi."
"Chaay.???" Dushyant ne buri tarah chaunkte huye kaha____"Are haan dear. Ham to is chaay ke bare me bhool hi gaye the. Achha hua ki tumne hame yaad dila diya magar....!"

"Magar kya sahab.???" Avinash ka sir chakra sa gaya.
"Yahi ki itni subah subah tumhare hath me ye chaay kaha se aa gayi.?" Dushyant ne ajeeb si shakal banate huye kaha_____"Kyo ki jaha tak hame yaad hai hamne kabhi iske pahle apne kitchen me na to chaay ki patti rakhi thi aur na hi kisi ke amma ka doodh rakha tha. Fir kaise itni subah subah tum hamare liye ye chaay le kar hamare kamre ke baahar pragat ho gaye.?"

"Wo main subah jaldi uth gaya tha sahab." Avinash ne jhijhakte huye kaha______"To main baahar doodh ki talaash me nikal gaya tha aur fir doodh lene ke baad ek dukaan se chaay ki patti kharirdi maine. Uske baad yaha aaya aur aapke liye chaay banaya."

"Tumne to kamaal kar diya pyare." Dushyant usse prabhaavit nazar aaya, bola______"Aur achhi khaasi dhoti ko cheer faad kar rumaal bhi kar diya. Khair ham tumhari is bhakti se ati prasann huye meri jaan. Jaao ab ise garam kar ke laao...kya thandi chaay pilaaoge hame.?"
"Ji abhi laya sahab." Kahne ke sath hi avinash palat kar waapas kitchen ki taraf tezi se badh gaya.

Avinash ke jane ke baad dushyant kuch palo tak khada kuch sochta raha fir wo bhi palat kar kamre me bed par aa kar baith gaya. Wo avinash ke bare me gahraayi se sochne laga tha. Avinash ki activities use waisi hi lag rahi thi jaise ki wo koi masoom sa ladka ho aur uske andar kisi bhi tarah ka chhal kapat na ho. Magar kya aisa sach me tha wo....ye jaise sabse bada sawaal ban kar khada ho gaya tha uske zahen me. Dushyant koi faisla na kar saka ki wo avinash ke bare me kaun se khayaal ko sahi samjhe.

Thodi der baad avinash chaay garam kar ke laaya aur dushyant ko diya usne. Chaay ka cup avinash se lene ke baad dushyant ne use paas hi rakhe ek chhote se stool par baith jane ko kaha to wo chup chaap baith gaya. Udhar chaay ki do teen chuskiya lene ke baad dushyant ke chehre par chamak si ubhar aayi.

"Maanna padega pyare." Dushyant ne apne hi andaaz me khush hote huye kaha_____"Bahut hi behtareen chaay banaayi hai tumne. Lekin pyare....hamare liye itni subah subah aisa takalluf ka kaam kyo kiya tumne.?"

"Ab yaha bina koi kaam ke main kaise baith sakta hu sahab.?" Avinash ne kaha_____"Subah jaldi uth jane ki aadat hai to socha aapke liye chaay hi bana du. Kitchen me gaya to dekha na chaay patti thi aur na hi doodh. Is liye aapko bina bataye dono cheeze lene baahar chala gaya."

"Is baat ko chhodo dear." Dushyant ne kaha_____"Ye bataao tumhe car chalani aati hai.?"
"Ji sahab." Avinash ne kaha______"Har tarah ki gaadi chala leta hu. Main to mechanic hu sahab is liye car chalana mere liye koi mushkil kaam nahi hai."

"Bahut khoob." Dushyant ne kaha_____"To ab aaj se tum hamare hi sath rahoge aur hamari gipsy chalaaoge. Samajh lo tumhe gipsy chalane ka naya kaam mil gaya hai. Khair ab jabki tum hamare sath hi rahoge to ab ham bhi dekhenge ki kaun hai jo tumhe aise jurm me baar baar fasa kar gayab ho jata hai."

"Main isi baat se darta hu sahab." Avinash ne badi adheerta se kaha______"Mujhe dar hai ki kahi meri vajah se aap par koi baat na aa jaye. Main duniya ka sabse bad-kismat insaan hu sahab. Ab tak bas dukh hi dekhe hain maine aur aisi ruswaayi ki koi mujhe rahne ke liye apne yaha kiraye se kamra bhi nahi deta."

"Sab kuch bhool jaao my dear." Dushyant ne khaali cup ko side me rakhte huye kaha_____"Bas yu samjho ki jitna tumhe dukh takleef milni thi mil gayi. Ab to use dukh aur takleef milegi jisne tumhare sath aisa salook kiya hai. Lekin usse pahle ham tumse kuch zaruri baate jaanna chaahte hain."

"Ji puchhiye sahab." Avinash ne kaha_____"Mujhe agar wo baate pata hongi to zarur bataauga aapko."
"Very good." Kahne ke sath hi dushyant ne bed ke sirhaane se cigarette ka packet uthaya aur usme se ek cigarette nikaal kar use sulgaya, fir bola______"Sabse pahla sawaal ye ki tumhari family me kaun kaun hain aur tum kaha ke rahne wale ho.?"

"Is bare me to maine pahle hi aapko bata diya tha sahab." Avinash ne kaha______"Is duniya me mera apna koi nahi hai. Maine jab se hosh samhala hai tab se main akela hi raha hu."

"Chalo maan liya ki tumhara apna koi nahi hai aur tumne jabse hosh samhala tab se tum akele hi rahe ho." Dushyant ne ek hi saans me ye sab kaha______"Magar pyare, tumhe apni pichhli zindagi ke bare me to sab pata hoga na.? Jaise ki tum jab chhote the to kaha rahte the aur fir badhti umar ke sath sath tum kaha kaha bhatakte huye yaha tak pahuche.?"

"Mujhe apne bachpan ka kuch yaad nahi hai sahab." Avinash ne jaise apne dimaag par zor daalte huye kaha______"Mujhe to bas ye yaad hai ki aaj se do dhaayi saal pahle main ek aisi jagah par pada tha jaha chaaro taraf pahaad the aur khadane thi. Us wakt main bahut taklif me tha aur mere shareer par kayi jagah chot lagi huyi thi. Sabse zyada chot mere sir me lagi thi."

"Iska kya matlab hua pyare.?" Dushyant ke zahen me kayi tarah ke khayaal ubharne lage the, bola______"Tum us jagah par us haalat me pade the iska matlab kya hua.? Khair uske baad kya hua.?"

"Meri haalat us wakt bahut kharab thi sahab." Avinash ne kaha_____"Badan kisi fode ki tarah dard kar raha tha. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki main waha par us haalat me kaise tha.? Apni asahneeya peeda ko bardaast karte huye main kisi tarah utha aur apne aas paas dekhne laga. Chaaro taraf pathreele pahaad aur khadaane thi. Pahaado ke paas hi kayi jagah machine khadi huyi thi magar waha par us wakt koi insaan nazar nahi aa raha tha. Maine un machino ki taraf jane ka socha aur jaise hi kadam badhaya to ladkhada kar wahi par gir gaya. Uske baad jab mujhe hosh aaya to main ek nayi jagah par tha aur main leta hua tha. Maine charo taraf nazar ghuma kar dekha to pata chala ki main kisi hospital me hu. Main hairaan rah gaya tha ki ekdam se main yaha kaise aa gaya.? Kyo ki iske pahle to main kisi khadaan jaisi jagah par tha. Maine apne aapko dekha to chaunk gaya kyo ki mere shareer par dusre kapde the. Matlab ki mere kapde badal diye gaye the. Main ekdam se ghabra gaya tha apni haalat se. Mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ki mere sath wo sab kaise hua tha.? Maine apne dimaag par zor dala to mera sir fatne laga aur mere mukh se cheekhe nikalne lagi. Meri cheekhe sun kar do log kamre me aaye. Ek to safed rang ka kot pahne doctor tha aur dusra koi alag aadmi tha. Uske chehre par daadhi aur moochh thi. Us aadmi ne mujhe dekhte hi 'Avinash' kaha aur bhaag kar mere paas aaya aur kahne laga ki tum thik to ho na.? Wo jane kya kya bole ja raha tha aur main ye soch raha tha ki mujhe avinash kahne wala wo aadmi kaun hai.? Idhar tabhi kisi ne mere ek hath me sui si chubhaayi aur main kuch hi palo me behosh ho gaya. Uske baad mujhe nahi pata ki kya hua. Dubara jab mujhe hosh aaya to maine dekha ki main abhi bhi wahi hospital ke ek kamre me bed par pada hua tha aur kamre me koi nahi tha. Mujhe abhaas hua ki meri haalat pahle se ab thik hai."

"Kamre me charo taraf dekhne ke baad." Ek lambi saans lene ke baad avinash ne fir se kahna shuru kiya______"Maine apne dimaag par fir se zor dala to mujhe fir se dard aur takleef huyi to maine dimaag par zor daalna hi band kar diya. Main kisi tarah utha aur bed se niche utra. Apne pairo me jab khada hua to taklif to huyi magar pahle jaisi nahi. Mere jism me hospital wale kapde the. Main dhire dhire chalte huye darwaje ke paas aaya aur darwaje ke upar ki taraf lage sheeshe se baahar jhaanka. Baahar dusri taraf ki diwaar ke alawa kuch na dikha mujhe. Main us shakhs ko dekhna chaahta tha jisne mujhe avinash kaha tha magar waha koi nahi tha. Mere man me khayaal aaya ki hospital me to kisi na kisi ka aana jana laga hi rahta hai magar sheeshe ke baahar ab tak koi nazar nahi aaya. Kafi der tak main darwaze ke paas hi khada raha. Fir jab mere paav dukhne lage to main waha se hata aur kamre me idhar udhar dekhne laga. Tabhi ek jagah meri nazar jam si gayi. Kamre ke ek kone me chaddar ki aisi chhoti si aalmari diwaar se sati huyi rakhi thi jisme aam taur par kitaabe rakhi jaati hain magar is aalmaari me kitaabe nahi rakhi thi balki ek bag rakha tha. Mere man me khayaal aaya ki hospital ke is kamre me ye bag kiska ho sakta hai.? Maine utsuktawas us jagah par ja kar us bag ko khol kar dekhne laga. Bag ke andar jis cheez par meri nazar padi use dekh kar main buri tarah chaunka. Bag me wahi kapde the jo iske pahle mere badan par the. Waise hi jagah jagah par khoon laga aur fate huye. Khair maine bag me rakhe un kapdo wale khandhe ki chain band ki aur dusri chain kholi to dekha usme lamination kiya hua ek card jaisa pada tha. Maine use nikaal kar dekha. Wo card koi adhaar card tha jisme mera naam avinash likha nazar aaya. Card buri tarah se ghisa hua tha. Usme sirf mera naam avinash hi likha nazar aa raha tha aur ek taraf photo thi jo ki dhundhli si thi. Avinash ke aage kya likha tha wo samajh me nahi aa raha tha. Maine us card ko ulat palat kar dekha. Dono taraf buri tarah se ghisa hua tha. Aisa lag raha tha jaise kisi ne jaan bujh kar card me maujud likhawat ko ghis kar mitaya tha aur fir uske baad card par lamination karwaya gaya tha."

"Mujhe samajh nahi aa raha tha." Avinash ne kuch pal ruk kar saans liya fir bolna shuru kiya______"Ki main aisi haalat me kaise tha.? Maine apne bare me sochna shuru kiya to mera sir chakrane laga magar kuch bhi yaad na aaya ki mere sath wo sab kaise hua tha aur ab main kis jagah par hu.? Jitna main sochta utna hi mera sir dard karta. Mujhe apni pichhli zindagi ka kuch bhi yaad nahi aa raha tha. Sab kuch jaise shoonya ho gaya tha."

"Iska to ek hi matlab hua pyare." Inspector dushyant ne ek gahri saans kheechte huye kaha_____"Aur wo ye ki do ya dhaayi saal pahle jaha tum lahu luhaan jaisi haalat me pade the wo ya to kisi accident ka nateeja tha ya fir tumhari kisi se koi dushmani thi jiski vajah se tumhare dushman ne tumhe us haalat me waha pahucha diya tha. Tumne bataya ki wo koi pahaado se ghiri koi khadaan jaisi jagah thi...iska matlab wo jagah nichli satah par thi jabki charo taraf ka hissa uchaayi par tha. Hamare kahne ka matlab ye hua ki ya to tumhe uchaayi se niche fenk diya gaya ya fir niche hi tumhare sath kisi ne kuch aisa kiya ki tumhare sir par gahri chot lagi aur us chot ke chalte tumhari yaad daast chali gayi. Jab tumhe hosh aaya tab tum apni pichhli zindagi ke bare me bhool chuke the ya yu kahe ki tumhare dimaag se tumhari pichhli zindagi ki saari yaade gayab ho chuki thi."

"Aapne bilkul sahi kaha sahab." Avinash ne kaha_____"Baad me mujhe bhi yahi samajh aaya ki meri yaad daast us ghatna ki vajah se ja chuki hai."

"To jab tumhe samajh aaya pyare." Dushyant ne is baar avinash ko zara ghoorte huye kaha______"To kya tumne apne bare me pata karne ki koshish nahi ki.? Ye koi maamuli baat to nahi thi, balki had se bhi zyada darze wali badi baat thi. Tumhari yaad-daast ja chuki thi, tum apni pichhli zindagi ke bare me sab kuch bhool chuke the. Tumhe nahi pata ki tumhari is haalat ke chalte tumhari family par kya guzri hogi.? Ye sab kya nahi socha tha tumne.?"

"Ab aapse kya bataau sahab aur aapko kaise samjhaau ki main us haalat me maheeno kaise kaise aur kaha kaha bhatka fira tha.?" Avinash ki aankho me aanshu bhar aaye, bola_____"Aap meri us wakt ki haalat ka andaza nahi laga sakte sahab. Apne bare me pata karne ke liye main idhar udhar bhatakta raha. Har pal bas isi dukh takleef se marta raha ki kaun hu main aur mere apne kaha hain, ya fir wo kis haal me honge.? Raat din bas yahi soch soch ke tadapta raha. Kayi baar police thane me ja kar apne hi gum shuda hone ki report likhwaana chaha magar thane ke police wale mujhe paagal kah kar bhaga dete the. Jaise jaise wakt guzar raha tha waise waise mere andar nirasa aur hatasha bharti ja rahi thi. Mandir masjid ja kar bhagwan aur khuda se minnate ki ke wo mujhe mere apno se milwa de ya meri yaad daast waapas kar de magar kuch faayda nahi hua sahab. Tab mujhe duniya ki har cheez se nafrat si ho gayi. Bhagwan aur khuda mere liye jaise mar gaye. Is bhari duniya me keede makaude ki tarah dikhne wale log mere kisi kaam na aaye. Zindagi aise bojh lagne lagi thi ki har pal bas khud khushi karne ka khayaal aata tha magar khud-khushi is liye nahi karta tha kyo ki har baar zahen me ye khayaal aa jata tha ki main agar mar jaauga to mere baad meri us family ka kya hoga jinke bare me aaj mujhe kuch yaad bhi nahi hai. Main kisi se koi matlab nahi rakhta sahab kyo ki is duniya ke log sirf apne bare me sochte hain. Kisi ko kisi ki koi parwah nahi hai. Mujhe aapke bhagwan ya khuda se bhi koi matlab nahi hai. Aree kis baat ka ye bhagwan hai jise meri takleef aur meri haalat par taras bhi nahi aata.?"

Avinash bolte bolte rone laga tha. Uski aankho se jaise ekdam se aanshuo ka samandar bah chala tha. Bed par baitha dushyant usi ki taraf dekh raha tha. Uski haalat dekh kar aur uski daastaan sun kar uske dil me ek hook si uthne lagi thi. Use ahsaas ho raha tha ki uske samne chhote se stool par baitha ye shakhs sach me dukhi hai. Uske chehre par ubhri huyi peeda use bata rahi thi ki usne jo kuch apne bare me bataya tha wo jhooth nahi ho sakta tha.

"Tumne to hame emotional kar diya pyare." Dushyant ne ek gahri saans lete huye kaha______"Ye sach hai ki hame emotional scene hargiz bhi pasand nahi magar iske baavjud tumne hame emotional kiya aur maze ki baat ye ki ham emotional ho bhi gaye. Khair chhodo is baat ko aur haan fikar karne ki koi zarurat nahi hai my dear. Bhagwan ya khuda ko tum par taras nahi aaya to kya hua...ham hain na. Ham sab thik kar denge magar ek shart par aur wo shart ye hai ki ab se tum yu chup chaap nahi rahoge balki haste muskurate rahoge."

Inspector dushyant ki in baato par avinash ne sirf haan me apna sir hilaya. Usne apne hatho se apne aanshuo ko ponchha. Uske chehre par ubhri huyi peeda aur takleef ke bhaav rafta rafta gayab hote nazar aane lage.

"Chalo kafi time guzar gaya yaar." Dushyant ne hand watch me time dekhte huye kaha_____"Hame duty par bhi jana hai aur tumhe bhi to hamare sath hi chalna hai. Is liye fatafat fresh ho jate hain dono, uske baad chalte hain aur haan khana baahar hi kha lenge. Shaam ko raasan paani layenge to fir yahi par bana liya karna. Thik hai na.?"

Avinash ne haan me sir hilaya aur uth kar chala gaya. Bathroom kyo ki ek hi tha is liye pahle dushyant fresh hua uske baad avinash fresh hone chala gaya. Dono jab fresh ho gaye to dono hi ghar se nikle. Avinash ke paas zyada kapde nahi the balki do jodi hi kapde the jo ki purane hi the. Dushyant ke man me jane kya aaya ki usne avinash ko sabse pahle kisi mall me chalne ka hukum diya. Avinash gipsy ki driving sheet par tha. Ab se dushyant ki police gipsy ko drive karne ka kaam usi ke hawale tha. Khair dushyant ke kahne par avinash ne gipsy ko start kar ke aage badha diya.

<>•<>•<>

Mall me pahuch kar dushyant ne avinash ke liye chaar jodi kapde kharidwaye. Avinash ne iske liye na nukur kiya to dushyant ne policiya tone me ghudki di to wo shaant ho gaya. Avinash ke liye kapde lene ke baad dushyant ne unme se ek jodi kapda use abhi pahanne ke liye kaha to majburan avinash ko trial room me jana hi pada. Kuch der me jab wo trial room se baahar aaya to avinash kafi smart nazar aa raha tha. Uski hair style me thodi kharaabi thi aur uske haav bhaav me bhi. Aisa lagta tha jaise use duniya ko apni personality dikhane ka zara bhi shauk nahi tha balki lallu ram bane rahna hi pasand tha.

Mall se baahar aane ke baad avinash ne gipsy ki driving sheet samhaali. Naye kapdo me wo kuch asahaj sa mahsoos kar raha tha. Uski dasa ko dekh kar dushyant halke se muskura utha tha aur sath hi ye bhi sochne laga tha ki ye aadmi kisi maamuli ghar ka to nahi ho sakta.

"Achha ek aur baat bataao pyare." Raaste me dushyant ne apne hi andaz me avinash se kaha_____"Us time hospital me fir kya hua tumhare sath, ya ye kahe ki uske baad tumne kya kiya....sath hi ye bhi ki jis aadmi ne tumhe avinash kaha tha usse kya tum dubara mile ya wo tumse dubara milne aaya.?"

"Do din tak koi nahi aaya sahab." Avinash ne gahri saans lete huye jaise ye kah kar dhamaka sa kiya, bola______"Main do dino tak bhukha pyasa hospital ke us kamre me hi kaid raha. Maine kamre ka darwaza kholne ki bahut koshish ki magar darwaza nahi khula. Tab main samjha ki ye jagah thik nahi hai aur main yaha par kaid ho chuka hu. Sochne wali baat thi sahab ki main jaha par tha wo ek hospital ka kamra tha magar hairaani ki baat ye thi ki do dino tak us kamre me hi kya balki us jagah par hi mujhe kisi insaan ka saya tak nazar nahi aaya. Meri haalat thik nahi thi aur main bhukho pyasa waha kaid tha. Yaha tak ki toilet bhi mujhe usi kamre me karna pada. Jab do dino tak koi nahi aaya to mere sabra ka baandh maano toot gaya. Main aise to kaid ho kar aur bhukha pyasa to nahi mar sakta tha na.? Is liye maine us jagah se niklane ka socha. Kamre me ek taraf khidki thi jis par kaanch ke do palle lage huye the. Maine kisi tarah unhe khola. Shukar tha ki kaanch ke pallo ke us paar khidki me koi lohe ki khidki ya jaali nahi lagi thi. Maine usme se baahar ki taraf jhaank kar dekha to mere andar ajeeb si sihran daud gayi. Kyo ki baahar niche ki taraf kaafi gahraayi thi. Matlab ki zameen se khidki ki uchaayi bahut zyada thi. Ye dekh kar meri himmat jawaab de gayi. Main us haalat me bhala kaise waha se nikal sakta tha magar yaha kaid ho kar bhi to nahi rah sakta tha is liye maine achhe se baahar ki diwaaro ko dono side se dekha to mere andar ummid ki kiran jagi. Kyo ki baahar side diwaar par ek chaar inch ke lagbhag patti bani thi jisse ye pata chalta tha ki us patti se building ka floor khatam hota tha aur fir us patti se dusra floor shuru hota tha. Mere man me usi patti ke sahare nikalne ka vichaar aaya. Halaaki ye bahut hi khatarnaak tha aur zara si chook ho jane par main waha se seedha zameen par gir sakta tha jisse meri jaan jane aur haddiya tootne me zyada wakt nahi lagna tha magar fir bhi maine nikalne ka soch liya tha."

"Mujhe kisi majboot sahare ki zarurat thi." Ek gahri saans lene ke baad avinash ne fir se kahna shuru kiya_____"Jiske dwara mujhe us kamre se nikalne me asaani hoti. Maine kamre me charo taraf nazar ghumaayi magar kahi par bhi koi rassi ya dori nahi dikhi. Mujhe laga ki main ab yaha se nikal nahi paauga, tabhi meri nazar us bed par padi jisme main leta hua tha pahle. Bed me ek hare rang ki chaadar bichhi huyi thi aur ek waisi hi chaadar mere odhne ke liye thi. Un chaadaro ko dekh kar mere chehre par chamak aa gayi. Main thoda tezi se bed ke kareeb pahucha aur un dono chaadaro ko dono hatho se kheech keech kar dekhne laga. Dono hi majboot chaadar thi. Maine ek chaadar ko liya aur kamre me idhar udhar dekhne laga. Bed se thodi doori par ek lakdi ka bench rakha hua tha aur usi bench me chaddar ka ek katora tha jisme doctors dwara upyog ki jane wali ek kainchi thi. Maine us kainchi ko us katore se liya aur use dekhne laga. Kainchi me jang ke laal laal dhabbe nazar aa rahe the. Matlab wo kainchi filhaal kisi upyog me nahi li ja rahi thi. Maine us kainchi se chaadar ko kinaare ki taraf se kaatna shuru kiya. Kahne ka matlab ye ki us kainchi ke sahare maine un dono chaadaro ke lambe lambe tukde kiye. Uske baad un tukdo ki rassi banana shuru kar diya. Kafi wakt laga is kaam me magar ek lambi rassi bana kar taiyar kar li maine. Uske baad rassi le kar main khidki ke paas aaya. Khidki me lohe ka na koi rod laga tha aur na hi koi jaali thi. Balki lakdi ki frame jaisi chaukhat thi jiske bich me bhi ek lakdi ka bhaag tha. Us bhaag ke hone se khidki me do palle bane the jinme kaanch ke do palle lage the. Maine khidki se baahar sir nikaal kar har taraf dekha. Baahri diwaar me har floor par aisi hi khidki lagi huyi thi. Maine us rassi ke dono chhor ko barabar kiya jisse wo rassi double ho gayi. Uske baad maine use niche ki taraf jhulana shuru kiya. Main dekhna chaahta tha ki wo double rassi niche wale floor ki khidki tak pahuch paati hai ki nahi. Kuch hi der me wo rassi niche dusre floor ki khidki ke paas se niche tak latki huyi nazar aayi. Ye dekh kar mere chehre par pahli baar khushi ki chamak ubhri thi. Maine bijli ki speed se us rassi ko waapas kheencha aur fir use khidki ke bich wale lakdi ke bhaag par (Π) ki shakal me ghuma kar rassi ke dono chhor niche latka diye. (Π) ki shakal is liye di taaki niche wale floor ki khidki ya uske niche wali patti par jab main pahuch jaau aur achhe se us patti par balance bana kar khada ho jaau to mujhe upar wale floor ki khidki se rassi ko nikaalne me koi pareshani na ho. Balki rassi ke ek chhor ko pakad kar kheenchu to wo bade araam se khich kar mere paas aa jaye. Khair rassi ke jab dono chhor niche latak gaye to main badi saawadhani se khidki par chadha aur fir rassi aur khidki ki chaukhat ko pakde niche ki us chaar inch waali patti par dono pair rakh kar khada ho gaya. Meri saanse itne me hi bhaari ho gayi thi jabki manjil abhi door thi."

"Us chaar inch ki patti par khade ho kar maine rassi ke dono siro ko majbuti se pakad liya." Kuch pal rukne ke baad avinash ne fir kahan shuru kiya______"Apne pairo ke niche taraf yaani zameen ki taraf dekhne ki meri himmat nahi ho rahi thi kyo ki yaha se zameen bahut niche thi. Samajh me nahi aa raha tha ki main kaun se floor ki khidki ke paas tha.? Yaha se ab asli kaam shuru hona tha jo ki meri haalat ke hisaab se bahut mushkil kaam tha magar karna to tha hi. Khair maine apne andar himmat ko sanjoya aur ek baar puri taakat se apne dono hath me pakdi us rassi ko apni taraf kheecha. Main parakh lena chaahta tha ki rassi mera bhaar jhel legi ya nahi. Pata chale ki idhar jaise hi main rassi ko pakad kar jhoolu udhar rassi kahi se charmara kar toot jaye. Aakhir kapde ki hi to thi wo. Khair naya kapda tha aur moti si chaadar ki rassi thi wo is liye mere taakat se kheechne par zara si bhi awaaz nahi ki usne. Maine bhagwan ko yaad kiya aur dhire dhire rassi ko majbuti se pakde maine us chaar inch ki patti se apne pairo ko ek ke baad dusra hataya aur jhool gaya. Kuch der ke liye aisa laga mujhe jaise meri dhadkane hi band ho gayi ho. Kaano me saany saany hone laga tha. Kuch der tak main aise hi jhoola raha magar fir ahsaas hua ki apne hi bhaar ko sahan karna is wakt aisi haalat me bada mushkil tha. Is liye maine dhire dhire rassi se niche sarakna shuru kiya. Main koi fauji nahi tha jo aisi haalat me bhi badi saralta aur dakshata se niche pal bhar me pahuch jata. Us wakt meri haalat aisi ho gayi thi ki jaan halak me aa kar atak gayi thi. Lekin kahte hain na ki apni jaan ko bachane ke liye insaan apni aakhiri saans tak zor lagata hai aur us wakt wahi haal mera tha. Badi mushkil se main niche wale floor ki khidki ke niche bani us chaar inch ki patti ke paas pahuchne me kaamyaab hua. Dono hath dard karne lage the aur meri saanse dhaunkni ki tarah chalne lagi thi magar man me ek khushi thi ki maine itna mushkil kaam kar liya tha. Uske baad maine kuch der khud ko araam diya aur fir us rassi ko uske ek chhor ko pakad kar kheech liya aur niche wale floor ki khidki par baandhne ka socha magar kaanch ke palle band the. Maine un pallo ko hath se zor laga kar aage ki taraf dhakela to wo ajeeb si awaaz ke sath aage ki taraf khul gaye. Shayad andar se band nahi the wo. Mere liye to ye khushi ki hi baat thi warna yahi latke rahna tha mujhe. Maine khidki ki bich wali lakdi ki chaukhat par rassi ko usi tarah fasaya jaise upar wali me fasaya tha aur fir se wahi prakriya shuru kar di. Aise hi main araam karte huye neeche zameen par aa gaya aur maine us rassi ko nikaal liya tha. Niche aane par maine check kiya to paya ki wo chaar manjila imaarat thi. Khair kaafi der tak main wahi zameen me baitha us building ko dekhta raha. Charo taraf nazar ghuma ke dekha to har taraf virana sa nazar aaya. Aisa laga jaise varsho se yaha koi nahi aaya tha. Building ke aas paas badi badi jhaadiya aur teen taraf se jangal nazar aa raha tha. Main aashcharya chakit tha ki mujhe aisi jagah par kaun laya hoga. Jis kamre me main tha wo kamra bilkul saaf suthra tha aur kahi se bhi mujhe ye yakeen nahi ho sakta tha ki us kamre ke alawa yaha ka baaki sab kuch sannate me duba hua hoga aur is building ke charo taraf badi badi jhaadiya aur jangal hoga."

"Main jis jagah par zameen me baitha hua tha." Ek lambi saans lene ke baad avinash ne fir se kahna shuru kiya______"Wo jagah us building ka pichhla bhaag tha. Kyo ki uske pichhe har taraf badi badi jhaadiya aur fir kuch doori se jangal laga hua tha. Is liye us taraf jane ka koi matlab hi nahi tha. Jab main araam kar chuka to utha aur us rassi ko le kar building ke aage wale hisse ki taraf jane ka socha magar mujhe dar bhi tha ki aage wale hisse par koi insaani jeev na mil jaye mujhe. Jis tarah se yaha main kaid tha usse yahi lagta tha ki kisi ne mujhe yaha jaan bujh kar is tarah kaid kiya tha. Is liye main dabe paanv building ke aage wale hisse ki taraf aaya. Building ke aage wala hissa pichhle hisse se behtar dikha aur uske samne se ek chaudi sadak lagi thi. Sadak ko dekhne se aisa lag raha tha jaise is sadak par barsho se aawa gaman band hai. Kuch der tak main diwaar se chipka chaaro taraf ka jaayja leta raha uske baad main sadak ki taraf na ja kar kinaare ki taraf badh chala. Main nahi chaahta tha ki yaha par koi mujhe dekh le kyo ki mujhe lagta tha ki waha par koi chhupa bhi ho sakta tha aur mujh par nazar rakhne ke liye yaha maujood ho sakta hai. Kafi der tak main jhaadiyo me chhupta chhupata chalta raha. Jab main bina kisi baadha ke us building se kafi door aa gaya to mere andar ka dar kuch kam hua. Mere jism me abhi bhi hospital wale kapde the. Is liye maine upar ki kameej ko utaar kar wahi jhaadiyo ke andar chhupa diya. Ab main upar se nanga tha aur niche ek pajama tha. Mujhe us haalat me sharm aur jhijhak to mahsoos huyi magar ab main us jagah se bahut door chale jana chaahta tha. Is liye sadak ke kinare kinare main paidal hi chalta raha. Nange paav chalne me taklif to ho rahi thi magar kya kar sakta tha. Pet me aag sulag rahi thi...lag raha tha ki kahi ann ka ek dana hi mil jaye jisse pet ki aag kuch shaant ho ya fir kahi peene ke liye paani mil jaye. Main us haalat me bhi zabardasti khud ko kast de kar chalta ja raha tha. Aage sadak par mujhe ek pool dikhayi diya. Jab main us pool ke paas pahucha to dekha ki pool ke niche se koi jharna bah raha tha. Us jharne ko dekh kar meri jaan me jaan aayi. Main andar ki taraf se hote huye us bahte jharne ke kinare pahucha. Meri aankho ke saamne saaf paani kal kal ki awaaz karta bah raha tha. Jharna bada nahi tha aur na hi gahra tha. Mushkil se ghutne tak gahra paani tha usme. Jharne ki satah par patthar dikh rahe the aur unme jhilmilaati chhoti aur usse thoda badi machhaliya. Bhookh pyaas se to waise hi mera bura haal tha is liye pahle maine bhar pet us jharne ka thanda thanda paani piya uske baad peeche hat kar kuch der araam kiya. Paani pine se pet me kuch raahat to mahsoos huyi magar khaali pet paani ke sath sath kuch khaane ka bhi talabgaar tha. Is liye maine socha is wakt jharne me maujood wo machhaliya hi meri bhookh mita sakti hain. Ye soch kar main utha aur jharne me utar gaya. Maine machhaliyo par nazre jama di aur unhe pakadne ki koshish karne laga magar wo mere hath nahi aa rahi thi. Badi mushkil se ek machhali hath aayi aur maine jaldi se use paani se nikaal kar kinare ki taraf zameen me fenk diya. Wo buri tarah jhatpataati huyi idhar se udhar uchhalne lagi thi. Kuch der use dekhne ke baad maine fir se paani me machhaliyo par nazre jama di. Aakhir badi masakkat ke baad chaar machhaliya mere hath lagi. Do machhaliya size me kuch badi thi jabki do unse kuch chhoti thi. Jharne se baahar aa kar maine chaaro machhaliyo ko ikattha kiya aur fir aas paas padi chhoti chhoti lakadiyo ko ikattha kar ke laya. Ab samasya ye thi ki aag kaise jalaayi jaye. Mere paas maachis ke hone ka sawaal hi nahi tha. Main us jharne ke paas gaya aur kinare side pade pattharo ko gaur se dekhne laga. Maine un pattharo se chun kar do patthar uthaye aur waapas aa gaya. Pattharo ko lakadiyo ke paas rakhne ke baad main koi aisi cheez khojne laga jisme jaldi se aag pakad le. Kuch hi der me mujhe ek pakshi ka ghonsla mil gaya. Usme pakshi ke ande wagaira nahi the. Main use le kar aaya aur ek saaf jagah par use rakh kar un pattharo ko aapas me takrane laga. Main nahi jaanta tha ki ye sab maine apni pichhli zindagi me kiya tha ya nahi magar ye sab apne aap hi kar raha tha main. Pattharo se chingaari to nikal rahi thi magar wo chingaari pakshi ke ghonsle tak nahi pahuch rahi thi. Kafi der tak main yahi karta raha magar aag na lagi. Mere hath dukhne lage the aur main pareshan bhi ho gaya. Kuch der sustaane ke baad maine fir se koshish ki. Is baar un pattharo ko main pakshi ke us ghonsle ke ekdam paas me kar ke takra raha tha. Kuch hi der me mujhe kaamyaabi mil gayi. Jaise hi ghosle me aag lagi main khushi se maano fula nahi samaya tha. Maine jaldi jaldi us jalte ghosle ke chaaro taraf lakadiyo ko rakha. Dhire dhire aag un lakadiyo me bhi lag gayi aur dekhte hi dekhte wo aag achhe se lakadiyo par jalne lagi. Maine kuch lakadiya aur usme daali aur fir un lakadyo ko uthaya jo thoda moti thi. Maine jalti aag ke dono taraf do do lakdi zameen me gaadi aur fir un dono me upar se lakdi daaal di. Niche aag jal rahi thi. Maine machhaliyo ko le ja kar achhe se saaf kiya aur fir unke andar lakdi daal kar aar paar kiya. Ye sab karne ke baad main aaya aur aag ke upar unhe un dono lakadiyo me fasa diya. Do chhoti machhaliyo ko maine dusri lakdi ke upar fasa diya aur fir unke bhun jane ka intzaar karne laga."

"Ab bas bhi karo pyare." Dushyant jhunjhlaate huye ekdam se bol pada tha_____"Apni ye veergatha hame na sunaao balki wo sunaao jise janna zaruri hai. Tum to yaar machhaliyo ko maar kar khane ki kahani me hi ulajh gaye."
"Maafi chaahta hu sahab ji." Avinash ne dhime se kaha.
"Hamne ye to sun liya pyare ki tum us jagah par kaid ho gaye the ya fir ye kahe ki kaid kar diye gaye the." Dushyant ne avinash ki taraf dekhte huye kaha______"Aur ye bhi sun liya ki tum waha se kaise nikal aaye. Is liye ab sirf wo bataao jo zyada zaruri baat hai. Jaise ki jab tum waha se nikal aaye to uske baad kya koi tumhe khojne aaya.? Aur sabse badi baat ye ki wo shakhs kya tumhe dubara mila jisne first time tumhe dekh kar tumhe avinash kaha tha.?"
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 06


Ab Tak,,,,,

"Ab bas bhi karo pyare." Dushyant jhunjhlaate huye ekdam se bol pada tha_____"Apni ye veergatha hame na sunaao balki wo sunaao jise janna zaruri hai. Tum to yaar machhaliyo ko maar kar khane ki kahani me hi ulajh gaye."
"Maafi chaahta hu sahab ji." Avinash ne dhime se kaha.
"Hamne ye to sun liya pyare ki tum us jagah par kaid ho gaye the ya fir ye kahe ki kaid kar diye gaye the." Dushyant ne avinash ki taraf dekhte huye kaha______"Aur ye bhi sun liya ki tum waha se kaise nikal aaye. Is liye ab sirf wo bataao jo zyada zaruri baat hai. Jaise ki jab tum waha se nikal aaye to uske baad kya koi tumhe khojne aaya.? Aur sabse badi baat ye ki wo shakhs kya tumhe dubara mila jisne first time tumhe dekh kar tumhe avinash kaha tha.?"

Ab Aage,,,,,,


"Pata nahi sahab ji." Avinash ne saamne sadak ki taraf dekhte huye kaha_____"Maine to us din machhaliyo ka bhar pet bhojan kiya aur fir wahi par so gaya tha. Jab aankh khuli to dekha suraj niche ki taraf utarne laga tha. Maine waha se uth kar fir se chalna shuru kiya. Sadak ke dono kinaro ka wo jangal khatam hone ka naam hi nahi le raha tha. Pet ki aag ab kyo ki shaant ho chuki thi aur bhar pet machhli bhi khaya tha is liye andar nayi jaan aa gayi thi. Is baar jab main chala to pahle ki apeksha tez chal raha tha aur suraj dhalte dhalte sadak ke dono kinaro ka wo jangal bhi khatam ho gaya tha. Hairaani ki baat thi ki us sadak par ab tak mujhe koi waahan kya koi insaani jeev tak nahi dikha tha. Jangal jab khatam hua to aage aa kar maine dekha ki ek dusri sadak thi jo (T) ke akaar me thi. Wo sadak is wali sadak se kaafi behtar thi. Mujhe yakeen ho gaya ki yaha se mujhe koi waahan zarur mil jayega is liye main wahi par khade ho kar kisi waahan ke aane ka intzar karne laga. Thodi hi der me ek truck aaya to maine use hath diya magar wo dandanata hua nikal gaya. Badi mushkil se ek truck wala ruka to maine usse kaha ki mujhe shahar tak chhod do. Truck wale ne mujhe ajeeb tarah se dekha. Main upar se nanga hi tha is liye shayad wo meri isi haaalat ko dekh raha tha. Maine jaldi se kuch socha aur usse kaha ki mujhe do choro ne chaaku ke bal par loot liya hai is liye is wakt mere paas kuch nahi hai. Aakhir meri minnato par truck wala maan gaya aur mujhe apne paas baitha liya. Achha aadmi tha wo kyo ki usne mujhe apni ek shirt nikaal kar di pahanne ke liye aur maine jhat se use pahan bhi liya. Kyo ki apni asaliyat ka to mujhe pata hi tha. Bhala main kaha se koi shirt khareedta aur pahanta jab mere paas footi kaudi bhi nahi thi. Khair us truck wale se baate karte huye main shahar tak aa gaya. Truck wale ko maine zyada kuch nahi bataya tha bas yahi kaha ki shahar me mera apna ghar hai. Shahar aa to gaya magar mujhe samajh na aaya ki kaha jaau. Shaam dhal chuki thi aur rahne ka kahi koi thikana nahi tha. Mujhe to apne bare me apne naam ke alawa kuch yaad nahi tha. Aise hi idhar udhar bhatakta raha aur jab raat ho gayi aur chalne ki himmat na huyi to wahi sadak ke footpath par ludhak gaya. Subah kisi ke laat maarne par meri aankh khuli to maine dekha do teen log khade the aur mujhe hi ghoor rahe the. Pahle to mujhe kuch samajh na aaya fir ekdam se mujhe khayaal aaya ki ye log kahi mujhe pakadne to nahi aaye hain. Ho sakta hai ki ye wahi log ho jinhone mujhe us viraan si jagah par kaid kar diya tha. Man me ye khayaal aate hi main buri tarah ghabra gaya. Halaaki wo log unme se nahi the kyo ki kuch der ghoorne ke baad wo log chale gaye the. Maine bhi raahat ki saans li aur fir uth kar chal diya waha se. Aise hi din guzarte rahe aur main idhar udhar bhatakta raha. Kisi hotel ya dhaabe me jata aur waha khane ko maagta to wo log mujhe bhaga dete the. Kahte the ki itna hatta katta hu aur bheekh maag kar khata hu. Mujhe bhi samajh aa gaya ki khane ke liye koi kaam to karna hi padega. Aise muft me koi khana nahi dega. kaam ke bare me mujhe kuch pata nahi tha ki mujhe kya kya aata hai. Mere man me khayaal aaya ki kisi hotel ya dhaabe par hi kaam kiya jaye kyo ki khana yaha par bana banaya mil jayega. Is liye main hotel ya dhaabe walo se kaam maagne laga. Sab puchhte ki mujhe kaun sa kaam aata hai magar unhe bhala main kya batata.? Is liye yahi kahta ki main bartan saaf kar duga aur paani bhar diya karuga aur jhaadu ponchha bhi kar sakta hu. Mere aisa kahne par ek dhaabe wale ne mujhe kaam par rakh liya. Main khushi khushi kaam karne laga. Sara din joothe bartan dhoya. Buri tarah thak gaya tha is sab me. Raat huyi to maalik ne mujhe khana diya aur fir dhaabe ko band karne laga. Mujhse bola ki kal subah aana to maine kaha ki mere paas rahne ki koi jagah nahi hai is liye agar wo meharbaani kare to main dhaabe ke andar hi so jaau. Dhaabe ka maalik meri is baat par mujhe ghoor kar dekhne laga. Main naya naya banda tha is liye wo kaise itna jaldi mujh par bharosa kar leta aur mujhe apne dhaabe ke andar rahne ki ijazat deta aur yahi hua bhi. Dhaabe ke maalik ne saaf mana kar diya ki wo mujhe dhaabe ke andar sone ki ijazat nahi dega. Balki main dhaabe ke baahar jo shesh jagah hai waha ek bench rakh kar so sakta hu. Mere liye to jaise yahi bahut tha is liye main maan gaya. Uske baad aise hi din guzarte rahe. Main sara din tebalo ki safaayi aur bartan ki dhulaayi karta aur dopahar ke baad raat me bhojan karta aur wahi dhaabe ke baahar so jata. Mere andar is baat ka bhi dar rahta ki kahi wo log mujhe pakadne na aa jaye magar koi nahi aaya. Dhire dhire mere man se unka ye dar nikal gaya aur main apne bare me dhire dhire pata karne laga. Mera maalik mujhse puchhta ki main kaha se aaya hu to main aise hi kahi ka pata bata deta. Aise hi ek maheene guzar gaye. Dhaabe ka maalik mujh par bharosa karne laga tha. Insaan ko charane wala wo insaan mujh jaise insaan ko hi parakhta tha. Main bhi zyada kisi se koi matlab nahi rakhta tha. Maheena pura hone par dhaabe ke maalik ne mujhe paise diye. Un paiso ko dekh kar maine socha ki in paiso ka main kya karu.? Bhala mere kis kaam ke the wo paise.? Do wakt ka khana mujhe dhaabe me hi mil jata tha. Fir bhi maine wo paise rakh liye, ye soch kar ki shayad kabhi kaam aayenge. Ek din mere maalik ki car kharaab ho gayi aur use kahi jane ki badi jaldi thi. Waha paas me koi mistri nahi tha jo uski car ko bana sake. Maalik bada pareshan nazar aa raha tha. Main chup chaap gaya aur car ko dekhne laga. Mujhe is tarah car ko dekhte dekh maalik mujh par gussa ho gaya aur kahne laga ki main car kyo dekh raha hu jabki mujhe dhabe ke andar customer ke joothe bartan dhone chahiye. Maine darte huye maalik se kaha ki car me kya kharaabi hai to maalik ne mujhe fir daanta. Main bhi uski daant par dhaabe ke andar na gaya aur usse puchhta hi raha to wo gusse me bola ki subah to sab thik hi tha magar ab jane kya ho gaya hai ise ki start hi nahi ho rahi. Maalik ne apni samajh me car ko achhe se check kar liya tha magar use kahi koi samasya nahi dikhi thi. Maine uski baat sun kar car ko check karna shuru kiya. Kahne ka matlab ye ki kuch hi der me maine car start kar ke maalik ko dikha diya. Maalik meri taraf aise dekhne laga tha jaise main koi ajuba hu magar use nahi pata tha ki usse zyada main khud par hairaan tha ki maine uski car ko kaise thik kar diya.?"

"Kitna bolte ho pyare." Dushyant ne bura sa muh banate huye kaha______"Aree hamne to bas chhota sa sawaal puchha tha tumse aur tum hamare us sawaal ke jawaab me aise shuru ho gaye jaise koi radio shuru ho jata hai. Khair chhodo aage ka kissa baad me sunege. Dekho apna dadbad khana...hamara matlab hai ki thana aa gaya."

Avinash ne thane ke saamne gipsy ko roka to dushyant gipsy se utar gaya aur avinash ko bhi andar aane ka ishara kiya. Dushyant ke ishare par avinash bhi uske pichhe ho liya. Thane me maujood baaki police walo ne dushyant ko salute bajaya jiska jawaab diye bina dushyant dandanata hua thane ke andar chala gaya.

Thane ke andar inspector dushyant ka muh laga hawaldaar bhanu singh maujood tha. Apne chahete officer ko salute thokne ke baad jaise hi uski nazar avinash par padi to wo buri tarah chaunka. Aankhe faade wo avinash ko hi dekhne laga tha jabki uske is tarah dekhne se avinash asahaj bhaav se idhar udhar dekhne laga.

"Sahab...sahab." Bhanu hadbadaye se lahje me dushyant ki taraf dekhte huye bola______"Ye to wahi hai na jiski khoj me aapne mujhe lagaya tha aur ise khojte khojte meri raato ki neend gayab ho gayi thi.?"

"Haan ye wahi hai pyare." Inspector dushyant halke se muskurate huye kaha______"Aur ab se ye hamare sath hi rahega. Hamne ise driving ke kaam par rakh liya hai."
"Ye aap kya kah rahe hain sahab.?" Hawaldaar bhanu ki jaise aashcharya se aankhe fat padi, bola_____"Ye aapke sath hi rahega aur to aur aapne ise driving ke liye bhi rakh liya.? Baat kuch samajh me nahi aayi sahab.?"

"Ek hi baar me itna zyada dimaag mat lagaao pyare." inspector dushyant ne kaha_____"Bas dekhte jaao. Dhire dhire sab samajh jaaoge. Khair ham tumhe ek kaam saump rahe hain aur ummid karte hain ki tum wo kaam wakt se pahle kar daloge."

"Ji bilkul hukum kijiye sahab." Hawaldaar bhanu ne jaise khush hote huye kaha.
"Ye lo paise." Dushyant ne apne parsh se do hazaar ka note nikaal kar bhanu ko pakdate huye kaha______"Kisi mobile store me ja kar ek keypad mobile aur sath me ek sim card kharid kar fauran aao."

Hawaldaar bhanu ne bade adab se sir nawaya aur paise le kar thane se baahar nikal gaya. Bhanu ke jane ke baad dushyant ne waha maujud baaki police walo ko avinash se milwaya aur kaha ki ab se ye hamare sath hi rahega is liye iske aane jane me koi rok nahi lagayega. Dushyant ki is baat par sabne haan me sir hila diya. Uske baad dushyant avinash ko apne pichhe aane ka ishara kiya aur khud apne cabin ki taraf badh gaya. Cabin me pahuch kar dushyant apni kursi par baith gaya aur avinash ko bhi table ke is paar rakhi visitors chairs me se ek par baithne ko kaha. Avinash ko kuch samajh to nahi aa raha tha magar wo bina kuch bole kursi par baith gaya. Use yaad aaya ki yahi wo thana hai jaha par use do maheene pahle pakad kar laya gaya tha aur lockup ke andar isi police inspector ne uski jam kar dhulaayi ki thi.

"Haan to pyare." Inspector dushyant ne ek cigarette sulgane ke baad avinash se mukhaatib ho kar kaha_____"Ek baar fir se radio ki tarah shuru ho jaao."
"Ji..???" Avinash ekdam se chakra gaya.

"Are bhai." Dushyant ne kaha_____"Raaste me tum apni jo kahani suna rahe the use shuru karo. Yaani ki apne dhaabe wale maalik ki car thik karne ke baad se aage ka kissa shuru karo."

"Apne dhaabe wale maalik ki car jab maine thik kar diya to wo badi hairaani se mujhe dekhne laga tha." Ek gahri saans lene ke baad avinash ne kahna shuru kiya_____"Khair us wakt to wo apne zaruri kaam se chala gaya magar jab shaam ko lauta to usne mujhe apne paas bulaya aur puchne laga ki maine uski car ko kaise thik kar diya tha.? Uske puchhne par main bhala usse kya kahta magar kuch to kahna hi tha is liye bol diya ki thodi bahut jaankaari hai mujhe. Uske man me jane kya aaya ki usne mujhe kuch der tak dekha fir ek kaagaj par kuch likha aur kaha ki is kaagaj me likhe pate par chale jaao aur bata dena ki bhaskar sheth ne bheja hai. Mujhe kuch samajh na aaya ki mera maalik mujhe us pate par kyo bhej raha tha. Usne kuch paise mere hath me thamaaye aur kaha ki ab jaao. Maine kuch kahna chaha to usne kaha ki is pate par jaao khud hi samajh jaaoge. Main bebas sa ho gaya tha. Khair mere paas uski baat maanne ke siwa dusra koi chara nahi tha. Usne kaagaj me jo pata likha tha us pate par main puchhte puchhte pahuch gaya. Maine dekha ki jis pate par mere maalik ne mujhe bheja tha waha par car wagaira ka kaam ho raha tha. Badi si dukaan thi wo jaha par kayi care thi aur kuch log unme lage huye the. Khair maine ek aadmi se waha ke maalik ke bare me puchha to usne ek taraf ishara kiya. Uski bataayi huyi disha me main gaya to dekha ki ek kaanch ke cabin ke andar ek aadmi baitha tha aur uske saamne table par ek computer rakha hua tha. Maine cabin ke darwaje par thapthapaya to usne meri taraf dekha. Uske dekhne par maine apne hath me liye kaagaj ko use dikhaya to usne andar bulaya. Cabin ke andar ja kar maine use wo kaagaj pakda diya aur kaha bhaskar sheth ne aapko dene ke liye kaha hai. Us aadmi ne kaagaj ko dekha aur fir wahi table par rakhe phone se kisi ko phone lagaya. Phone par jab usne bhaskar ka naam liya to mujhe pata chala ki wo mere maalik se hi baat kar raha hai. Mujhe nahi pata ki maalik ne udhar se kya kaha magar itna zarur hua ki baat karne ke baad us aadmi ne mujhse bina kuch puchhe apne yaha kaam par rakh liya. Main hairaan tha ki ye sab kya hai.? Khair wo aadmi cabin se baahar aaya aur mujhe sath le kar us taraf gaya jaha par baaki log kaam kar rahe the. Usne un logo se mujhe milwaya aur kaha ki aaj se ye aadmi bhi tum logo ke sath yaha kaam karega."

"Bas uske baad main waha par car ko thik karne ka kaam karne laga." Avinash ne kuch pal rukne ke baad fir se kahna shuru kiya______"Dusre din main apne dhaabe wale maalik se mila to usne bas yahi kaha ki jo kaam tumhe aata hai tum wahi kaam karo. Waise bhi tum koi bartan dhone wale nahi lagte the mujhe. Uske baad main waha se waapas car garage me aa gaya. Car garage me main kaam karne laga. Main hairaan tha ki mujhe car ke bare me bahut si jaankari thi aur main baaki logo se behtar kaam kar raha tha. Rahne ka mere paas koi thikana nahi tha is liye garage me hi so jata tha. Do wakt ka khana khane main bhaskar sheth ke yaha hi jata tha. Usne mujhe ek jagah rahne ke liye kamra dilwa diya. Ye mujh par uska dusra upkaar tha. Khair aise hi din guzarte rahe magar mujhe nahi pata tha ki aage mere sath kya hone wala tha.? Jaha main kiraye se rah raha tha waha aaye huye mujhe do maheena ho gaya tha. Ek raat main kamre me so raha tha ki achanak hi shor sharaba hua aur dhaad se mere kamre ka darwaza khula. Uske baad zameen par so rahe mujh par kisi ne laat ghuso ki barsaat si kar di. Main is sabse buri tarah hadbada gaya tha aur dard se cheekhne laga tha. Main ye dekh kar chakit tha ki mera makaan maalik apne bete ke sath mujhe maar raha tha aur kah raha tha ki maine uski beti ke kamre me ghus kar uski beti ki ijjat lootne ki koshish ki hai. Main to unki itni si baat sun kar hi sann rah gaya tha. Baaki wo aur kya kya bolte ja rahe the is par mera dhyaan hi nahi gaya. Main apne aapko bachane ki bahut koshish kar raha tha aur kahta bhi ja raha tha ki maine kuch nahi kiya magar wo dono baap beta na maane. Achhi tarah mujhe koot dene ke baad unhone baahar se mere kamre ka darwaza band kar diya. Kareeb bees minute baad fir se darwaza khula aur is baar police ko dekh kar meri rooh kaamp gayi. Makaan maalik police wale se kah raha tha ki pakad lo is ghatiya aadmi ko....isne bahut hi ghatiya jurm kiya hai. Bas uske baad police walo ne mujhe pakad liya aur mere kamre ki talaashi lene lage. Talaashi me unhe mere bag se dher sare gahne jewar mile. Gahne jewar dekh kar makaan maalik uchhal pada aur chillate huye bola ki ye to hamare hi gahne jewar hain. Matlab isne chori bhi ki hai. Idhar meri haalat apne baal noch lene jaisi ho gayi thi. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki ye sab kaise ho gaya.? Main to gahri neend me so raha tha aur aankh khuli to ye sab ho raha tha. Maine police walo se aur makaan maalik se bahut kaha ki maine kuch nahi kiya hai magar koi meri baat par yakeen nahi kar raha tha. Yakeen karte bhi kaise...police ke saamne mere bag se apne gahne jewar dekhe the unhone. Main khud chakit tha ki mere bag me itne sare gahne jewar kaha se aur kaise aa gaye.? Khair last me ye hua ki police mujhe pakad kar le gayi aur fir thane me la kar mujhe salaakho ke pichhe dhakel diya. Uske baad jail ke andar police ke daroga ne mujhe bahut mara aur puchhte rahe ki maine aisa kyo kiya magar main yahi bolta raha ki maine kuch bhi nahi kiya, balki main khud hairaan hu ki mere bag me wo gahne kaise aaye.? Main cheekh cheekh ke apni baato ko dohrata raha magar unko meri baat par yakeen nahi hua. Khair us jurm ki mujhe saza huyi aur main maheene bhar baad jail se baahar aaya. Makaan maalik ne mera bag fenkte huye usi wakt kah diya tha ki dubara is ghar ke aas paas dikha to wo mera khoon kar dega."

"Us haadse ne mujhe andar tak hila kar rakh diya tha." Ek lambi saans kheechne ke baad avinash ne fir se kahna shuru kiya______"Mujhe aise jurm ke liye saza aur maar mili thi jo maine kiya hi nahi tha. Maine us bare me bahut socha magar mujhe us haadse ke bare me kuch samajh nahi aaya. Baad me maine ye soch kar us haadse ko bhula dene ka socha ki shayad mere makaan maalik ne kisi dusre ka gussa mujh par is tarah se utara hoga. Halaaki sochne wali baat to bhi thi koi kisi dusre ka gussa is tarah ke ilzaam laga kar kaise utarega.? Khair jab main maheene bhar ki saza kaatne ke baad waapas garage me pahucha to garage ka maalik mujh par bahut naraz hua. Use bhi bhaskar sheth ke dwara pata chal gaya tha ki mujhe kis jurm me police pakad ke le gayi thi aur main maheene bhar baad saza kaat ke aaya hu. Iska nateeja ye nikla ki car garage ke maalik ne mujhe apne yaha fir se kaam par rakhne se saaf inkaar kar diya. Uska kahna tha ki wo kisi mujrim ko apne yaha kaam par nahi rakhega. Maine maalik ko bahut samjhaya magar wo na maana balki gusse se mujhe chale jane ko kah diya. Main bhala kya kar sakta tha is liye waha se main bhaskar sheth ke paas gaya to usne bhi mujhe chaar baate sunaayi aur kaha ki kahi dusri jagah kaam dekho. Kahne ka matlab ye ki uske baad yahi silsila chalne laga. Dusri jagah mushkil se kaam mila aur ek jagah rahne ke liye kiraye se kamra mila magar do maheene baad fir se ek raat mere sath waisa hi haadsa hua. Mujh par makaan maalik ne ilzaam lagaya ki maine uske ghar me chori ki aur uski biwi ki ijjat lootne ki koshish ki. Uske baad usne police ko bulaya aur mujhe police ke hawale kar diya. Police ne thane me meri jam ke kutaayi ki aur maheene bhar baad chhod diya. Meri haalat aisi ho gayi thi ki lag raha tha apni jaan de du. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki mere sath aisa kyo ho raha tha.? Pahli baar hua to maine socha tha ki shayad makaan maalik ne kisi aur ka gussa mujh par nikala raha hoga magar dubara fir se waisa hi haadsa.??? Iska kya matlab ho sakta tha bhala.? Mujhe apne bare me achhi tarah pata tha ki in dono haadso me maine kuch nahi kiya tha balki har raat ki tarah un do raato me bhi main baahar se kha pi kar aaya tha aur apne kamre me chup chaap zameen par hi chaadar bichha kar so gaya tha. Is baar ke haadse ne mujhe ye sochne par majbur kar diya ki maine to kuch nahi kiya is liye mumkin hai ki kisi ne mujhe jaan bujh kar aise jurm me fasaya hai magar sawaal tha ki aisa mere sath kaun kar sakta tha.?"

Abhi avinash ye sab kah hi raha tha ki tabhi cabin me hawaldaar bhanu daakhil hua aur dushyant ke saamne rakhi table par ek mobile ka dibba aur sim card ka ek packet rakh diya.

"Sahab." Fir usne kaha_____"Ye raha aapka mobile aur sim card. Mujhe zyada time to nahi laga na sahab.?"
"Bilkul nahi pyare." Inspector dushyant ne kaha______"Aur isi liye to ham tumhe itna pasand karte hain kyo ki tum wakt se pahle har kaam kar daalte ho. Khair ab jaao tum."

Apne chahete inspector ke dwara apni tareef sun kar hawaldaar bhanu khush ho gaya aur hotho par muskaan sajaye cabin se baahar chala gaya. Uske jane ke baad dushyant ne dibbe se mobile nikala aur usme sim card daalne ke baad mobile ko avinash ki taraf sarka diya.

"Hamne ye mobile tumhare liye magwaya hai pyare." Dushyant ne avinash ki taraf dekhte huye kaha_____"Tumhare character ko samajhte huye hamne ye andaza laga liya tha ki tum apne paas mobile jaisi waahiyaat cheez nahi rakhte hoge. Ab kyo ki tum hamare sath hi rahoge to tumhare paas is mobile ka rahna behad zaruri hai. Kyo ki kisi bhi wakt hame tumhari zarurat pad sakti hai aur agar hamare paas tumse contact karne ka koi jariya hi nahi hoga to bhala kaise ham tumhe apne paas haazir kar payege.?"

Avinash dushyant ki baato par kuch na bola. Balki beman se mobile ko uthaya aur use ulat pakat kar dekhne laga. Jabki uske chehre ke bhaavo ko read karte huye inspector dushyant ne ek nayi cigarette sulgaayi aur uske ek do kash lene ke baad hawa me uske dhuye ko udaya.

"Jab tumhe is baat ka." Dushyant ne cabin me chha gayi khamoshi ko cheerte huye kaha_____"Andaza ho gaya ki kisi ne tumhe jaan bujh kar waise jurm me fasaya tha to uske baad tumne kya kiya.? Hamara matlab hai ki kya tumne is baat ka pata lagane ki koshish ki ke kisne tumhe waise jurm me fasaya hoga.?"

"Maine to apni taraf se puri koshish ki thi sahab." Avinash ne gahri saans lete huye kaha______"Magar kuch pata nahi kar paya. Kyo ki ek to mujhe apne bare me apni pichhli zindagi ka kuch bhi yaad nahi tha jisse mujhe andaza ho sake ki mera aisa kaun dushman ho sakta hai, dusre itne bade shahar me bhala main kis par shak karta aur ye sochta ki fala insaan ne mujhe fasaya hoga.? Yaani ki main chaah kar bhi is bare me kuch nahi kar sakta tha. Fir mere man me khayaal aaya ki apne bare me hi pata karu. Kyo ki agar mujhe apni pahchaan mil jayegi to shayad usse mujhe in haadso ke bare me kuch janne me madad mil jaye. Is liye main paas ke police thane me gaya aur waha ke police walo se apni gum shudgi ki report likhne ko kaha to wo meri is baat par hasne lage. Maine unhe bataya ki mujhe apni pichhli zindagi ke bare me kuch bhi yaad nahi hai is liye main apni gum-shudgi ki report likhwane aaya hu. Magar un logo ne mujhe paagal kaha aur daat dapat kar thane se bhaga diya. Ab bhala main unhe iske liye kaise majbur karta ya raaji karta.? Din aise hi guzarte rahe aur maine kayi aur thano me is baat ki report likhwane gaya magar koi faayda na hua. Har guzarte wakt ke sath mujhe apni zindagi aur apni kismat se shikayat hone lagi aur main andar hi andar is baat ke liye rota bhi ki aakhir mere sath hi aisa kyo hua.? Upar baithe bhagwan ne meri kya haalat kar di thi. Jaise jaise mere sath waise haadse ho rahe the waise waise mujhe insaano se nafrat si hone lagi thi. Main begunaah tha, maine kahi koi jurm nahi kiya tha magar iske baavjud main aise jurm me pakda diya jata tha aur fir iske liye mujhe bhaari takleef jhelni padti thi. Ek jagah se dusri jagah aur ek shahar se dusre shahar aise hi bhatakta raha main magar kahi bhi chain se rah nahi paya. Har do maheene baad ek raat ko mere sath yahi haadsa hota aur fir wahi takleef sahni padti. Meri jagah koi dusra insaan hota to kab ka aatm hatya kar chuka hota sahab magar main ye soch kar rah jata ki agar main mar gaya to kahi maujood mera pariwar kis haal me pahuch jayega. Main ek baar apne pariwar walo se milna chaahta tha aur ye bhi dekhna chaahta tha ki jo jurm main karta hi nahi hu us jurm me mujhe har baar kaun fasa deta hai.?"

"Yakeenan badi hairat ki baat hai avinash pyare." Dushyant ne cigarette ke dhuye ko udate huye kaha______"Apni ab tak ki life me hamne is tarah ka maamla iske pahle kabhi nahi suna tha. Khair ab ye bataao ki kya tum us shakhs se dubara mile ya wo shakhs tumse kabhi tumhara takraya jisne us viraan se hospital me tumhe avinash kaha tha.?"

"Nahi sahab." Avinash ne inkaar me apna sir hilate huye kaha_____"Na to main kabhi dubara us viraan si jagah par gaya aur na hi waha par milne wala wo shakhs mujhe kabhi mila. Lekin itna zarur samajh gaya tha ki wo jagah thik nahi thi. Koi mujhe us jagah par jaan bujh kar le gaya tha aur mujhe waha ke us kamre me kaid kar diya tha. Main bhala dubara aisi jagah par kyo jane ka sochta jabki main ye bhali bhaanti samajhta tha ki waha par jane se mujhe kisi tarah ka khatra zarur tha.? Dusri baat ye ki mujhe pata bhi nahi hai ki wo jagah kaha par hai. Us wakt main sahi haalat me nahi tha is liye ye janne ka khayaal hi mere man me nahi aaya tha ki wo jagah kaun si hai aur kaha par hai.?"

"Chalo koi baat nahi pyare." Dushyant ne cigarette ko pairo ke niche kuchalte huye kaha______"Achha ab tum jaao aur baahar baitho. Ham bhi kuch apna kaam kar le."
"Ji sahab." Avinash kahne ke sath hi kursi se utha aur cabin se baahar chala gaya. Uske jane ke baad dushyant kafi der tak uske bare me sochta raha. Uske baad wo table par rakhi file ko khol kar dekhne laga.

<>•<>•<>

Table par rakhe landline phone ki ghanti ekdam se baji to inspector dushyant ne file se nazar hata kar phone ki taraf dekha aur reviewer utha kar kaan se lagate hi bola_____"Inspector dushyant varma here."

"Inspector sahab." Udhar se kisi anjaan aadmi ki aisi awaaz aayi jaise wo badi jaldbaazi me ho, bola______"Highway no 05 me sadak ke kinare ek aurat ki laash padi hai. Kripaya aap jaldi aa jaiye."
"Laash.??" Inspector dushyant ke maathe par shikan ubhar aayi, bola_____"Aap kaun bol rahe hain....hello...hello..!"

Inspector dushyant hello hello karta hi rah gaya magar udhar se koi awaaz nahi aayi. Matlab saaf tha ki phone karne wale ne laash ki suchna dene ke baad phone kaat diya tha. Waise bhi ye police case tha is liye koi bhi aam insaan aise jhamele me nahi fasna chaahta tha. Khair inspector ne kuch der socha aur fir table se apni cap aur danda uthate huye cabin se baahar ki taraf aaya. Aanan faanan me usne kuch police waalo ko sath chalne ka hukum diya aur wahi paas me hi baithe avinash ko bhi ishara kiya. Dushyant ka hukum aur ishara milte hi sab harkat me aa gaye.

Avinash ne highway no 05 par sadak ke kinare police gipsy ko roka. Inspector dushyant aur baaki police wale gipsy se niche utar kar us jagah ki taraf badhe jaha par phone karne wale anjaan aadmi ne kisi aurat ki laash pade hone ki suchna di thi.

Highway no 05 me ikka dukka waahan chalte hi rahte the baaki aas paas chaaro taraf sannata hi faila rahta tha. Sadak ke dono taraf door door tak pathrili zameen thi. Inspector ne dekha ki jis jagah par aurat ki laash padi thi wo jagah sadak ke kinaare thodi dhalaan par thi. Yaani agar sadak se koi dekhe to ye laash kisi ko nahi dikh sakti thi. Inspector samajh gaya ki phone karne wala anjaan aadmi laash dekhne ke baad pahle yaha se chala gaya hoga uske baad hi usne use phone kiya hoga warna raaste me kahi to wo aadmi use nazar aaya hota. Ya fir aisa ho sakta hai ki phone par laash ki suchna dene wala hi khooni ho.

Laash aurat ki hi thi jiski umar chaalis ya bayalees ke aas paas ki hogi. Uske jism par neele rang ki saadi thi aur usi se match karta blouj. Aurat ke gale par ek bada sa cheera laga hua tha jaha se ghoon baha hua tha aur ab usme makkhiya lagne lagi thi. Dudhyant ko samajhte der na lagi ki aurat ki hatya huye kafi time guzar gaya hai. Aurat dikhne me achhi bhali thi jisse pata chalta tha ki kisi achhe ghar se hogi. Magar sawaal tha ki iski kisi se aisi kya dushmani ho sakti thi jiske tahat kisi ne uski is tarah se hatya ki aur aise sunsaan highway par lawaarish ki tarah daal kar chala gaya. Laash ke aas paas kahi par bhi khoon nahi tha aur na hi aisa prateet hota tha ki hatya yaha ki gayi hai.

Inspector dushyant ne kafi der tak laash ka aur laash ke aas paas door door tak ja kar baariki se muaayna kiya magar use kahi koi suraag na mila. Aurat ke gale me sone ka mangal sootra, kaano me sone ke tops aur naak me sone ki hi ek nath thi. Hatho me neele rang ki chudiya thi jinme se kuch tooti huyi thi. Aurat ko uska gala ret kar mara gaya tha magar murder weapon gayab tha. Achhi tarah jaanch padtaal karne ke baad dushyant ne apne mobile par kisi ko phone lagaya. Ek minute baad karne ke baad usne call cut kar diya. Kareeb aadhe ghante baad waha par ek car aa kar ruki. Car se kuch log nikle aur dushyant ke paas aa gaye. Dushyant ne un logo ko laash ki taraf ishara kiya jisse wo log laash ke paas gaye aur laash ka muaayna karne lage. Thodi der me ek ambulance bhi waha par aa gayi. Kuch der dushyant waha par ruka aur fir wo car se aaye logo se thodi baat cheet karne ke baad waapas thane ki taraf chal pada.
Thane aa kar dushyant ne us aurat ke bare me pata karne ke liye bhanu ko laga diya aur khud phone karke aas paas ke ilake ke thano se us aurat ke bare me kisi gumshudgi ki report ka pata karne laga. Der raat tak wo isi me busy raha aur fir avinash ke sath apne flat par aa gaya. Usne avinash ko raashan lane ke liye pahle hi paise de diye the is liye avinash flat me raashan rakh kar waapas thane aa gaya tha dushyant ko lene ke liye.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 07


Ab Tak,,,,

Inspector dushyant ne kafi der tak laash ka aur laash ke aas paas door door tak ja kar baariki se muaayna kiya magar use kahi koi suraag na mila. Aurat ke gale me sone ka mangal sootra, kaano me sone ke tops aur naak me sone ki hi ek nath thi. Hatho me neele rang ki chudiya thi jinme se kuch tooti huyi thi. Aurat ko uska gala ret kar mara gaya tha magar murder weapon gayab tha. Achhi tarah jaanch padtaal karne ke baad dushyant ne apne mobile par kisi ko phone lagaya. Ek minute baad karne ke baad usne call cut kar diya. Kareeb aadhe ghante baad waha par ek car aa kar ruki. Car se kuch log nikle aur dushyant ke paas aa gaye. Dushyant ne un logo ko laash ki taraf ishara kiya jisse wo log laash ke paas gaye aur laash ka muaayna karne lage. Thodi der me ek ambulance bhi waha par aa gayi. Kuch der dushyant waha par ruka aur fir wo car se aaye logo se thodi baat cheet karne ke baad waapas thane ki taraf chal pada.

Thane aa kar dushyant ne us aurat ke bare me pata karne ke liye bhanu ko laga diya aur khud phone karke aas paas ke ilake ke thano se us aurat ke bare me kisi gumshudgi ki report ka pata karne laga. Der raat tak wo isi me busy raha aur fir avinash ke sath apne flat par aa gaya. Usne avinash ko raashan lane ke liye pahle hi paise de diye the is liye avinash flat me raashan rakh kar waapas thane aa gaya tha dushyant ko lene ke liye.

Ab Aage,,,,,


Raat me khana pina karne ke baad dushyant chhote se drying room me rakhe sofe par baith kar cigarette foonkne laga tha jabki avinash kitchen me bartano ki safaayi me laga hua tha. Ghar me apne hath ka bana bhojan ek alag hi swaad ka ahsaas karaya tha use. Man hi man usne avinash ki tareef ki ke usne bahut achha khana banaya tha. Aadhe ghante baad avinash bhi wahi par aa gaya aur dushyant ke ishare par saamne sofe par baith gaya.

"Kal tumhe ek kaam karna hai pyare." Dushyant ne apne hi andaaz me kaha_____"Subah thane bhejne ke baad tum bhanu ke sath JCB hospital jaaoge. Waha par tumhe dr sanyaal milenge. Unse kahna ki hamne bheja hai tumhe. Uske baad wo jaisa kahe chup chaap kar lena."

"Hospital me dr se bhala mera kya kaam sahab.?" Avinash ne na samajhne wale bhaav se kaha tha.
"Jab tum waha jaaoge." Dushyant ne kaha_____"To tum khud hi samajh jaaoge. Ab tum jaao aur araam se so jaao."

Dushyant ke kahne par avinash kuch sochte huye utha aur apne kamre ki taraf chala gaya. Jabki dushyant kuch der tak sofe par baitha raha fir wo bhi apne kamre me chala gaya. Kamre me bed par jaise hi wo aaya to wahi par rakha uska mobile phone baj utha. Call uske aala adhikari tha, jisse usne kafi der tak baat ki uske baad call cut karke wo araam se let gaya.

Subah chaay naasta karne ke baad dushyant aur avinash gipsy se thane gaye. Thane ke saamne dushyant ne gipsy ko rukwaya aur fir wo gipsy se utar gaya. Usne avinash ko JCB hospital jane ko kaha to avinash ne sir hila diya jabki dushyant thane ke andar chala gaya. Thane me maujood police walo ne use salute thoka jiska jawaab usne sir ko halka sa kham karte huye diya aur hawaldaar bhanu ko avinash ke sath JCB hospital jane ke liye kah diya. Dudhyant ke kahne par bhanu thaane se baahar nikal gaya.

Dushyant jab apne cabin me pahucha to usne dekha ki visitor chair par police ki wardi me koi baitha tha. Uski peeth is taraf thi is liye dushyant ye na jaan saka ki wo police wala kaun hai. Khair apne sir se cap utaarte huye wo apni chair ke paas pahucha. Uski nazar saamne se jab us police wale par padi to wo pahle to chaunka fir ekdam se uske gulaabi hotho par muskaan ubhar aayi.

"Hamari jaan-e-bahaar yaha hamare intzaar me baithi hai aur ham kahi aur uski justazu me bhatak rahe the." Dushyant ne apne andaaz me muskurate huye kaha_____"Ye to hamari jaan ke sath sarasar na-insaafi ho gayi pyare...balki ye kahe ki hamari jaan ki tauheen hi ho gayi."

"Tum kabhi nahi sudhroge." Visitor chair par baithe yaswant ne bura sa muh banatae huye kaha_____"Jab dekho faaltu ki bakwas karne lagte ho."
"Kya kare meri jaan.?" Dushyant ne third class aashiq ki tarah aahe bharte huye kaha_____"Jab se tumhari mohabbat me giraftaar huye hain tab se jane kya ho gaya hai hame. Kasam se my dear ham ab ham nahi rahe balki....!"

"Ohh ab bas bhi kar mere baap." Yaswant ne uski baat beech me hi kaat'te huye thode naraaz bhaav se kaha____"Agar sarkar mujhe allow kar de to sabse pahle main tumhe goli maaruga."

"Maar do pyare." Dushyant ne kaha____"Isi wakt apne revolver se tum goli maar do hame. Sarkar bhale hi allow na kare magar ham allow karte hain. Kaho to stamp paper me likh de. Aree ham to usi din mar gaye the meri jaan jis din hame tumse bepanaah mohabbat ho gayi thi. Upar jab bhi jayenge to puchenge us parwar digaar se ki hamare dil me agar is mohabbat ka beej hi bona tha to kisi kuwari kanya ke liye bo dete."

"Agar tumhe yahi bakwas karni hai." Yaswant ne gusse se apne daant peeste huye kaha_____"To main chala jata hu yaha se."
"Hame aise chhod ke na jaao pyare." Dushyant ne maano dukhi hote huye kaha_____"Warna aankho me aanshu aa jayenge hamare. Bahut zaalim ho dear...zara bhi hamari haalat par taras nahi aata tumhe."

"Avinash ke bare me kuch pata chala.?" Yaswant ne uski baato par dhyaan na dete huye puchha.
"Uske khopde ka fuse uda hua hai pyare." Dushyant ne pahlu badalte huye gahri saans li.

"Kya matlab.??" Yaswant ke maathe par shikan ubhar aayi.
"Matlab to tel lene gaya tha pyare." Dushyant ne do took bhaav se kaha_____"Magar fir jab wo tel le kar waapas aaya to hamne bhi usse bade pyar se yahi pucha ki kya matlab.? Tab usne sharmate huye hame bataya ki uski yaad-daast ja chuki hai."

"Ye kya kah rahe ho tum.?" Yaswant matlab samajhte hi buri tarah chaunka tha.
"Ye ham nahi." Dushyant ne kaha_____"Balki usne kaha jo tel lene gaya tha."
"Tum fir se shuru ho gaye.???" Yaswant ne ghoora use.

Yaswant ke ghoorne par dushyant ekdam se chup ho gaya. Kuch der wo yaswant ki taraf moorkho ki tarah dekhta raha uske baad usne paint ki pocket se cigarette ka packet nikaal kar usme se ek cigarette sulgaayi aur packet yaswant ki taraf sarka diya. Yaswant ne uski taraf kha jane wali nazro se dekhte huye cigarette ke packet se ek cigarette nikaali aur table par rakhe dushyant ke lighter se apni cigarette jalaayi.

"Usne hamare puchne par." Dushyant ne cigarette ke dhuye ko udaate huye apne andaaz me kaha_____"Hame apni dard bhari daastaan sunaayi pyare. Uske saare kisse ka saar ye hai ki aaj se do dhaayi saal pahle wo gambheer roop se ghayal awastha me ek aisi jagah pada hua tha jaha par charo taraf pahaad aur khadaane thi."

"Saar mat bataao mujhe." Yaswant ne uski baat beech me hi kaat'te huye kaha_____"Balki pura ka pura kissa bataao mujhe."
"Lagta hai badi fursat se aaye ho pyare." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha_____"Khair ab jab tum itna hi zor de rahe ho to ham bhi pura kissa meharbaani karke bataye de rahe hain."

Uske baad dushyant ne use saara kissa suna diya jo avinash ne use apne bare me bataya tha. Saari baate sunne ke baad yaswant kisi gahri soch me duba nazar aane laga tha. Uski tandra dushyant ki awaaz par hi tooti thi.

"Kisi aur ke khayaalo me mat kho jaao pyare." Dushyant ne kaha_____"Tumhara dilbar tumhari aankho ke saamne hai."
"Kissa to yakeenan hairaani bhara hai yaar." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha____"Aur agar uske kisse ko sach maan liya jaye to zaahir si baat hai ki wo begunaah hai. Yaani koi aur hi hai jo usse is tarah se apni dushmani nikaal raha hai."

"Hamare zahen me bhi yahi khayaal aaya tha pyare." Dushyant ne chair ki pusht par peeth tikaate huye kaha_____"Magar fir ye khayaal bhi aaya ki mumkin hai ki uska ye kissa sire se hi farzi ho. Yaad-daast ghum hone ka kissa usne jaan bujh kar banaya hua ho taaki hamari nazar me wo begunaah bana rahe."

"Chalo maan liya." Yaswant ne kaha____"Ki usne hamari nazar me khud ko begunaah bane rahne ka naatak kar raha hai magar sawaal hai ki aisa karne ke peechhe uska kya maksad ho sakta hai.? Har baar ek hi jurm me fasna aur fir police ke dwara koota jana isse bhala kya haasil ho sakta hai use.?"

"Yahi to pench hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Is maamle me hamari sochne wali gaadi yahi par aa kar ruk jaati hai. Kyo ki itna to ham bhi samajh rahe hain ki har baar ek hi jurm me fas kar police ke dwara apni kutaayi karne ke peeche uska hi kya balki kisi ka bhi koi maksad nahi ho sakta. Bhala aisa kaun ahmak hoga jo is tarah se jurm karega aur fir badi asaani se police ke hatthe chadh kar apni durgati karayega.? Haan agar maamla aisa hota ki jurm karne ke baad wo faraar ho jata tab to wo apraadhi kahlata magar iske maamle me aisa kuch hua hi nahi, balki wo to jurm karne ke baad apne kamre me is tarah bade araam se so raha tha jaise use kisi baat ki fikar hi nahi thi."

"Fir to saabit ho gaya hai dushyant." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha______"Ki avinash ne sach me koi jurm nahi kiya tha balki uski shakl me koi dusra hi bahrupiya tha jisne wo sab kiya aur fir badi safaayi se avinash ko fasa kar waha se rafu chakkar ho gaya."

"Bilkul." Dushyant ne kaha_____"Ab sawaal ye hai ki aisa wo bahrupiya kaun ho sakta hai aur avinash par itni badi meharbaani karne ki bhala kya vajah ho sakti hai.?"
"Koi to vajah zarur hi hogi." Yaswant ne kaha_____"Uske kriya kalaap se to saaf hai ki wo avinash se adaawat rakhta hai magar ek sawaal ye bhi hai ki agar us bahrupiye ki avinash se kisi tarah ki dushmani hai bhi to wo apni dushmani normal tarike se bhi nikaal sakta hai na, fir bhala isme use avinash ki shakal lene ki kya zarurat thi use.?"

"Ye bhi ek point hai pyare." Dushyant ne kuch sochte huye kaha_____"Dushmani to use kisi bhi tarah se nikaal leni thi magar usne apni dushmani ke chakkar me avinash ki shakal ko dhaaran kiya. Dusri baat ye bhi hai ki usne avinash ko sirf fasaya, aur har baar ek hi jurm me fasaya jo ki badi ajeeb baat hai. Jabki koi bhi dushman hoga to kam se kam aisa karne ka to sochega hi nahi balki wo ya to use jaan se maarne ki koshish karega ya fir badi safaayi se apne dushman ko apne sath le jayega."

"Ho sakta hai ki avinash ka dushman." Yaswant ne kaha____"Aviansh ki yaad daast waapas aane ka intzaar kar raha ho. Pata to use bhi hoga ki avinash ki yaad daast ja chuki hai aur use apni pichhli zindagi ka kuch bhi yaad nahi hai. Aisi surat me mumkin hai ki wo filhaal use jaan se na maarna chaahta ho balki wo chaahta ho ki jab avinash ki yaad daast waapas aayegi tab wo use jaan se maarega. Aakhir koi bhi dushman ye kyo chaahega ki jisse wo apna badla le raha hai use uske gunaah ke bare me pata hi na ho."

"You are absolutely right pyare." Dushyant ne halki muskaan ke sath kaha_____"Bilkul aisa ho sakta hai aur shayad yahi vajah hai ki wo aise kaarname kar raha hai. Yaani avinash ki shakal le kar har baar wo avinash ko fasata hai aur use police ke paas pitne ke liye bhejwa deta hai. Use lagta hoga ki maar pitaayi se shayad avinash ki khopdi khul jayegi aur use apni pichhli zindagi ka sab kuch yaad aa jayega. Magar us ahmak ko bhala ye kaun samjhaye ki kisi ki yaad daast kya aisa karne se bhi waapas aa sakti hai bhala.?"

"Yaad daast ka aana ya na aana apni jagah hai." Yaswant ne kaha____"Magar wo apni taraf se koshish to kar hi raha hai na.? Halaaki wo iske liye ye bhi kar sakta hai ki wo avinash ko kidnap kar le aur kisi aise doctor se mile jo avinash ki yaad daast waapas lane me uski kuch madad kar sake. Mere khayaal se aisa wo ek baar kar bhi chuka hai. Avinash ne apne kisse me kisi hospital ka zikar kiya tha na.?"

"Maamla kaafi uljha hua hai pyare." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_____"Avinash ka wo dushman jab itna kuch badi safaayi se kar sakta hai to yakeenan wo aisa bhi kar sakta hai magar usne nahi kiya. Balki usne sirf ye kiya ki har baar use ek hi jurm me fasaya aur use police ke paas pelaayi ke liye bhejwa diya. Sabse badi baat ye ki har dusre maheene baad hi wo aisa kyo karta hai.? Jabki wo ek maheene me bhi ya fir hapte das din me bhi aisa kar sakta hai. Fir do maheene ka antraal kyo.?"

"Tumhare is sawaal ka jawaab to wahi de sakta hai." Yaswant ne kaha_____"Infact saare sawaalo ke jawaab hi wahi de sakta hai kyo ki avinash ko to kuch yaad hi nahi hai ki usne kiske sath aisa kuch kiya jiski vajah se aaj uske sath aisa ho raha hai."

"Isi liye to ham use apne gareeb khane me le aaye hain pyare." Avinash ne kaha_____"Ab ham bhi dekhenge ki do maheene baad avinash ka chaahne wala kya karta hai.? Hamare yaha koi kanya to hai nahi jiske sath wo zor zabardasti karega aur uske gahne jewar churayega. Kahne ka matlab ye ki is baar doodh ka doodh aur paani ka paani kaise hoga ye zarur pata chalega. Itna hi nahi is baar uske swaagat ka ham khud bada khubsurat intjaam karenge."

"Intjaam to thik hai." Yaswant ne muskurate huye kaha____"Par zara khud bhi samhal ke rahna. Kahi aisa na ho ki wo tumhe hi kuwari kanya samajh kar tumhari ijjat loot le."
"Koi baat nahi pyare." Dushyant ne kaha____"Ham bhi lauda taiyar kar ke rakhene. Jaise hi wo aayega ham use apne laude ka swaad chakhayenge."

"Iska ulta bhi ho sakta hai." Yaswant ki muskaan aur gahri ho gayi, bola_____"Aur agar ittefaakan aisa hua ki avinash bhi uske sath mila hua ho to samjho tumahre pau baarah ho gaye."
"Tension mat lo pyare." Dushyant ne kaha_____"Us din tum bhi hamare sath hi waha rahoge. Agar aisa hua to pau baarah tumhare bhi ho jayege."

"Mera is sabse koi lena dena nahi hai." Yaswant ne haste huye kaha_____"Avinash ka maamla tumhare hath me hai aur tum hi use mere thaane se le gaye ho. Is liye ab jo kuch bhi hoga use tumhe hi jhelna hai...wo bhi akele."

"Tum to sale ekdam se bewafa ho gaye." Dushyant ne yaswant ko ghoorte huye kaha.
"Avinash ki yaad daast ke bare me kya socha hai.?" Yaswant ne muskurate huye pahlu badla.
"Use dr sanyaal ke paas bheja hai." Dushyant ne ek nayi cigarette jalane ke baad kaha_____"Dr ko hamne sab bata diya hai. Dekho kya pata chalta hai unhe."

"Dr ke bharose to nahi baith sakte na bhai." Yaswant ne kaha_____"Tumne bataya ki avinash ke paas ek adhaar card tha. Us adhaar card se ham uske bare me pata kar sakte hain."
"Wo card puri tarah se destroy kar diya gaya hai." Dushyant ne kaha_____"Us card me uske naam ke alawa kuch bhi nahi hai. Kahne ka matlab ye ki ham agar chaahe bhi to us card se kuch nahi kar sakte. Hame to lagta hai pyare ki wo card bhi farzi hi hai. Yaani avinash ka jo bhi dushman hai usne pahle se hi sab kuch plan kiya hua tha."

"Iska matlab koi lamba chakkar hai." Yaswant ne sochne wale bhaav se kaha_____"Avinash ka dushman hargiz ye nahi chaahta ki avinash ko apne bare me kahi se kuch pata chale. Agar aisa hai to fir wo theory bhi bekaar hi huyi. Yaani avinash ka dushman nahi chaahta ki uski yaad daast waapas aaye. Magar aisa kaise ho sakta hai bhala.? Ye kis tarah ki dushmani huyi fir.?"

"Ye sab kuch ham pahle hi soch chuke hain pyare." Dushyant ne cigarette ko pairo ke niche kuchalte huye kaha_____"Aur result ye nikla ki hamare achhe khaase dimaag ka ghan chakkar ho gaya. Samajh me nahi aata ki avinash ka dushman asal me chaahta kya hai.? Wo use jaan se nahi maarna chaahta ye ek thos sachchaayi hai kyo ki agar use avinash ko maarna hi hota to wo use bahut pahle hi maar chuka hota, magar usne aisa nahi kiya. Wo sirf itna hi kar raha hai ki har do maheene me use ek hi jurm me fasa kar police ke dwara kutwata hai. Uske baad do maheene tak maano wo free ho kar baith jata hai."

"Badi ajeeb baat hai." Yaswant ne kaha_____"Har baar ek hi jurm me fasana thoda nahi balki bahut hi zyada ajeeb aur atpata lagta hai. Jabki har baar ek insaan ko ek hi jurm me fasana zara mushkil kaam hai magar shayad uske liye nahi hai. Use jaise pata hota hai ki avinash jis jagah par rahne jata hai waha pahle se hi koi bahu ya beti maujood hain. Jinke sath ijjat loot kar avinash ko fasana hai. Iska to ek hi matlab hua na ki wo avinash ke peeche saye ki tarah rahta hai. Khair uska ye khel is baar shayad samajh me aa jayega jab wo ek baar fir se avinash ko fasane aayega. Tab tak avinash ke bare me pata karte hain. Agar is duniya me kahi koi uski family wale hain to unse is sare chakkar ka pata chal jayega. Waise maine uski photo har police thano me aur news channels me bhejwa diya hai. Dekhte hain kya hota hai."

"Ye achha kiya pyare." Dushyant ne kaha_____"Hamne bhi is baat ka pata lagaya tha ki do dhaayi saal pahle kahi par uske gum hone ki report darz karaayi gayi thi ki nahi magar uske gum hone ki kahi koi report darz nahi hai. Iska matlab ya to sach me uska is duniya me koi nahi hai ya fir agar koi hai bhi to usne jaan bujh kar uske gum hone ki kahi report nahi darz karaayi."

"Aisa kaise ho sakta hai.?" Yaswant ne kaha_____"Agar kahi uski family hai to wo yakeenan uske gum hone ki report darz karwaayi hogi. Bhala koi family jaan bujh kar aisa kyo karegi.?"
"Ho sakta hai ki koi paariwarik problem ho." Dushyant ne maano tark diya, bola______"Mumkin hai ki ye avinash kisi aise character ka raha ho jisse uski family wale use pasand na karte ho."

"Ye sirf sambhaavnaye hain dushyant." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha_____"Hakikat ka pata tabhi chalega jab ya to avinash ki yaad daast waapas aayegi ya fir uski family wale hame milenge."
"Yaad daast kisi ki mahbuba nahi hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Jo apne dilbar ke virah ko sahan na karte huye waapas aa jayegi. Hame kisi dusre tarike se uske bare me pata karna padega."

Dushyant ki is baat par yaswant kuch na bola balki kisi soch me gum nazar aaya. Kuch der aur un dono ke beech baate huyi uske baad yaswant waha se chala gaya. Yaswant ke jane ke do minute baad hi dushyant ka mobile baja to usne call receive ki aur baate karne laga.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 08


Ab tak,,,,,,

"Ye sirf sambhaavnaye hain dushyant." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha_____"Hakikat ka pata tabhi chalega jab ya to avinash ki yaad daast waapas aayegi ya fir uski family wale hame milenge."
"Yaad daast kisi ki mahbuba nahi hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Jo apne dilbar ke virah ko sahan na karte huye waapas aa jayegi. Hame kisi dusre tarike se uske bare me pata karna padega."

Dushyant ki is baat par yaswant kuch na bola balki kisi soch me gum nazar aaya. Kuch der aur un dono ke beech baate huyi uske baad yaswant waha se chala gaya. Yaswant ke jane ke do minute baad hi dushyant ka mobile baja to usne call receive ki aur baate karne laga.

Ab Aage,,,,,,


Avinash dopahar ke baad hi JCB hospital se waapas aaya. Inspector dushyant ko kyo ki case ke silsile me jaldi jana tha is liye usne avinash se ye nahi pucha ki hospital me dr sanyaal se milne par kya hua. Khair avinash ko sath le kar dushyant thaane se nikla. Avinash ne gipsy ki driving sheet samhaali aur dushyant ke nirdesh par gipsy ko aage badha diya.

Kareeb pandrah minute baad dushyant ne gipsy ko do manjila makaan ke saamne rukwaya. Gipsy se utar kar dushyant ne avinash ko wahi ruk kar intzaar karne ko kaha aur khud saamne makaan ki taraf badh chala. Do manjila makaan baahar se hi dikhne me kafi alishaan type tha. Makaan ke bade darwaje ke paas pahuch kar dushyant ne door bell par apni ek ungli rakh kar button ko push kiya to andar kahi bell bajne ki awaaz use saaf sunaayi di.

Ek minute se pahle hi darwaza khula. Darwaza khulte hi dushyant ki nazar saame khadi shakhiyat par padi to jaise us par padi hi rah gayi. Khule darwaze ke beecho beech ek bala ki khubsurat ladki khadi nazar aayi thi. Peele rang ka kurta shalwaar aur gale me atka hua dupatta us par bahut hi zyada janch raha tha. Us par nazar padte hi inspector dushyant maano kahi aur hi pahuch gaya tha. Chaunka tab jab saamne khadi bala ke mukh se baaraho suro se saje sangeet jaisi awaaz uske kaano me padi.

"Aap.?" Us ladki ne jaise dushyant ko hakikat ki duniya me laaya,boli_____"Dad ka kuch pata chala kya inspector sahab.?"
"Aaan...haan." Inspector dushyant pal bhar ko jaise baukhlaya fir thoda chaunkte huye bola_____"Dad ka kuch pata chala se kya matlab hai aapka.?"
"Mere dad pichhle do din se ghar nahi aaye hain." Ladki ke chehre par ekdam se dukh aur peeda ke bhaav ubhar aaye the. Darwaze se ek taraf hat'te huye boli_____"Andar aa jaaiye."

Ladki ke kahne par inspector darwaze se andar daakhil ho gaya. Kuch hi der me wo ladki ke peechhe chalte huye andar dring room me pahucha. Dushyant ne andar aa kar chaaro taraf sarsari nazar se dekha. Makaan andar se aur bhi zyada khubsurat tha. Dushyant ne man hi man kaha bilkul waisa hi jaisi khubsurat ye ladki hai. Koi aur situation hoti to kadaachit wo apne chir parichit andaaz me aa kar us ladki se alag lahje me baat bhi karta magar is wakt aisa karna nihaayat hi galat laga use. Khair ladki ke ishare par wo ek sofe par baith gaya. Jabki wo ladki uske saamne wale sofe par baith gayi.

"Maaf karna miss." Dushyant ne kaha_____"Magar main ye jaanna chaahta hu ki is khubsurat se ghar me itna sannata kyo hai.?"
"Mera naam vidhi hai inspector sahab." Vidhi ne dukhi bhaav se kaha_____"Is ghar me mere mom dad aur main hi rahte the. Mom ka to aapko pata hai ki unka pichhle dino kisi ne khoon kar diya hai aur usi din se dad bhi waapas ghar nahi aaye. Mujhe samajh nahi aa raha ki ekdam se ye sab kya ho gaya hai.?"

Inspector dushyant ki aankho ke saamne us aurat ka mrit chehra ghoom gaya jo pichhle din highway no 5 me sadak ke kinaare mili thi. Us aurat ke bare me usne jab sinaakht karwaayi to pata chala tha ki aurat ka naam shalini tha jo ek achhe khaase pariwar se thi. Uska pati Sudhansu bhatiya shahar ka ek jana mana karobari tha. Shalini ka apni family me uske pati ke alawa ek beti thi jiska naam vidhi tha. Aurat ke bare me pata chalte hi dushyant tafteesh ke liye yaha aaya tha. Aurat ki sinaakht uski beti vidhi ne hi ki thi. Apni mom ki is tarah huyi maut se vidhi dahaade maar maar kar royi thi.

"Duniya me jo kuch bhi hota hai." Inspector ne vidhi ke us chehre ki taraf dekhte huye kaha jis chehre me is wakt dukh aur peeda ke bhaav gardish kar rahe the_____"Uske peeche koi na koi vajah zarur hoti hai vidhi ji. Shalini ji ka khoon jis tarike se hua hai usse saaf hai ki unki kisi se dushmani zarur thi. Ab sawaal ye hai ki shalini ji ki kisi se aisi kya dushmani rahi hogi jiski vajah se unka khoon kar diya gaya.? Aapne bataya ki aapke dad usi din se ghar waapas nahi aaye to kya aisa nahi ho sakta ki aapke dad ne hi apni patni ka khoon kiya ho aur ab kanoon ke dar se kahi chhupe baithe hain.?"

"Aapka dimaag kharaab hai kya inspector.?" Vidhi ekdam se jaise cheekh hi padi thi, boli_____"Bhala mere dad meri mom ka khoon kyo karenge.?"
"Aap bewajah cheekh rahi hain vidhi ji." Dushyant ne shaalinta se kaha_____"Jabki maine to situation ke anusaar sirf apni sambhaavna byakt ki hai. Aap khud sochiye ki kisi baahri insaan ke paas aapki mom ko maarne ki kya vajah ho sakti hai jabki aapke dad ke paas yakeenan koi na koi vajah zarur ho sakti hai aur upar se wo usi din se ghar waapas nahi aaye jis din aapki mom ka khoon hua."

"Iska sirf yahi to matlab nahi ho sakta na inspector." Vidhi ne is baar narm lahje me kaha_____"Ki agar mere dad us din se ghar waapas nahi aaye to iska matlab unhone hi meri mom ka khoon kiya hai aur ab wo police ya kanoon ke dar se kahi chhup gaye hain.? Mere dad ke ghar waapas na aane ke peechhe koi dusri vajah bhi to ho sakti hai. Ho sakta hai ki wo khud kisi musibat me ho."

"Beshak ho sakta hai." Inspector ne jaise swikaar kiya. Fir bola_____"Isi liye to yaha aapse ye jaanne aaya hu ki is sab ke bare me aapko kya lagta hai.? I mean ki aapke anusaar aisa kaun ho sakta hai jisne aapki mom ka khoon kiya ho aur ab aapke dad ko gum kar sakta hai.?"

"Mujhe is bare me kuch nahi pata inspector." Vidhi ne jaise ashaay bhaav se kaha. Uski aankho se aanshu ke katre chhalak kar uske kapolo tak ludhak aaye the, boli_____"Meri samajh me to mere mom dad ki kisi se bhi aisi koi dushmani nahi thi jiski vajah se unka khoon hi ho jaye."

"Chaliye maan liya ki aapko is bare me nahi pata." Dushyant ne kaha______"Magar ye ek sach to hai hi ki bewajah aapki mom ka khoon nahi hua. Khair ye bataaiye ki pichhle kuch dino se kya aapne aisa kuch mahsoos kiya jisse ki aapki mom kisi baat se kuch pareshaan ya vichlit rahi ho.?"

"Nahi." Vidhi ne inkaar me sir hilaate huye kaha_____"Maine aisa kuch bhi mahsoos nahi kiya aur na hi mom ke chehre par kabhi koi aisi baat nazar aayi mujhe. Mom hamesha ki tarah hi khush thi aur dad bhi. Hamara chhota sa pariwar kisi bhi baat se naa khush nahi tha."

"Chaliye koi baat nahi." Dushyant ne kaha_____"Ham pata laga lenge aapki mom ke qaatil ke bare me. Khair hame aap apne dad ki ek photo aur unka mobile number de dijiye."
"Ji thik hai." Vidhi ne kaha aur sofe se uth kar ek kamre ki taraf badh gayi. Kuch der me wo aayi aur center table par dushyant ke saamne apne dad ki ek photo rakh di aur ek chhote se kaagaz me mobile number bhi. Dono cheeze lene ke baad inspector dushyant sofe se uth khada hua.

"Agar aapko apne dad ke bare me." Dushyant ne vidhi ki taraf dekhte huye kaha______"Kuch pata chale ya fir wo yaha waapas aaye to hame zarur inform kijiyega. Baaki ham pata lagane ki koshish karte hain."

Inspector dushyant ki baat par vidhi ne haan me sir hila diya jabki dushyant darwaze ki taraf badh chala. Darwaze se baahar aa kar wo thithka aur palat kar vidhi ki taraf dekha jo uske peeche hi darwaza band karne aayi thi.

"Kya aapki aur bhi koi family hai.?" Dushyant ne kaha_____"I mean ki aapke dad ke bhai bahan wagaira.?"
"Mere dad." Vidhi ne gambheerta se kaha_____"Apne mata pita ki iklauti santaan the. Kafi saal pahle dada dadi ji guzar gaye the jab main bahut chhoti hi thi."
"Thik hai." Dushyant ne kaha______"Aur haan agar kisi bhi baat ki taklif ho ya zarurat ho to thane phone kar dijiyega. Ya fir aap mujhe phone kar sakti hain. Ye hai mera card."

Inspector dushyant ne paint ki pocket se ek card nikaal kar vidhi ki taraf badha diya, jise vidhi ne thanks kah kar le liya. Uske baad inspector muda aur apni police gipsy ki taraf badh gaya. Dushyant jab gipsy me baith gaya to avinash ne gipsy ko start kar aage badha diya.

<>•<>•<>

"Ab bataao pyare." Raaste me kuch door aate hi inspector dushyant ne avinash ki taraf ek nazar daalne ke baad kaha____"Hospital me kya hua.?"
"Bhanu ji ke sath." Avinash ne kaha_____"Hospital me jab main dr sahab se mila to unhone sabse pahle mujhse yahi pucha ki meri yaad daast ko gaye huye kitna wakt guzar chuka hai.? Unke puchne par maine wahi bataya jo aapse bataya tha. Maine unhe saaf saaf bataya ki mujhe apni pichhli zindagi ke bare kuch bhi yaad nahi hai aur na hi kabhi mere zahen me koi tasveer ubharti hai jisse main kuch samajh saku ki apni pichhli zindagi me main kaun tha aur kya tha. Aise hi kafi der tak unhone mujhse sawaal jawaab kiya. Uske baad wo mujhe ek kamre me le gaye, jaha par kuch machine wagaira lagi thi. Unke sath ek do log aur the jo shayad doctor hi the. Fir unhone mera check up kiya. Check up karne ke baad unhone mujhe kuch dawaaiya di aur mujhe jane ko kah diya."

"Ab to tumhe samajh aa gaya hoga na pyare." Dushyant ne kaha____"Ki hamne tumhe hospital kyo bheja tha. Khair baaki baate ham doctor sanyaal se jaan samajh lenge. Filhaal abhi ham tumhe ek jagah aur le chalenge. Jaha par tumhare bare me pata karne ke liye kuch aur zaruri test karwate hain."

"Jaisa aap kahe sahab ji." Avinash ne bade aadar se kaha tha.
"Waise ek baat chaunkane wali hai pyare." Dushyant ne jaise kuch sochte huye kaha______"Aur wo ye ki itne din ho gaye news channels par tumhari photo diye huye magar abhi tak koi aisa police ke paas nahi aaya jo ye kahe ki wo tumhe jaanta hai. Kya tum aasmaan se tapke ho pyare jiske na koi peechhe tha aur na hi aage hai.?"

"Is bare me main bhala kya kahu sahab ji.?" Avinash ne jaise bebas bhaav se kaha_____"Agar mujhe apne bare me kuch yaad hota to kya mere sath ye sab hota.? Main to raat din yahi soch soch kar pareshaan aur dukhi hota rahta hu ki maine apni pichhli zindagi me kisi ke sath aisa kaun sa gunaah kiya tha jiski vajah se aaj mere sath koi aisa kar raha hai.?"

"Apni pichhli zindagi me tumne koi na koi gul to khilaye hi honge pyare." Dushyant ne gahri saans li, bola_____"Tabhi to aaj tumhare sath aisa ho raha hai magar sawaal ye hai ki agar tumne kisi ke sath kuch bura kiya hai to uske liye tumhare dushman ko zyada se zyada tumhe jaan se maar dena chahiye tha. Bhala ye kya baat huyi ki wo tumhe har baar ek hi jurm me fasata hai aur fir police ke dwara tumhari kutaayi karwa deta hai.? Aakhir use aisa karne se kya haasil hota hoga.?"

"Yahi to meri samajh me bhi nahi aata sahab ji." Avinash ke chehre par uljhan ke bhaav numaya huye, bola_____"Itna to main bhi samajhta hu ki bina vajah ke koi bhi mere sath aisa nahi karega. Zarur maine apni pichhli zindagi me kisi ke sath kuch bura kiya hoga magar uske liye mujhe is tarah se har baar fasane ka kya matlab hai.? Agar mera gunaah itna hi sangeen hai to mujhe uski saza manjur hai. Wo chaahe to mujhe jaan se maar de magar is tarah mujhe til til maarne ka kya matlab hai.?"

"Fikar mat karo pyare." Dushyant ne kaha_____"Aaj nahi to kal tumhare us chaahne wale ko ham dhar hi lenge. Uske baad ham usse bade pyaar se puchhenge ki bhaiya aisa kyo kar rahe ho tum hamare avinash pyare ke sath.?"

Thana ke saamne avinash ne gipsy ko khadi kiya. Inspector dushyant gipsy se utar kar thane ke andar jane laga. Uske peechhe avinash bhi chal diya tha. Thane ke andar aa kar dushyant ne bhanu ko bula kar use wo kaagaj pakdaya jo vidhi ne use diya tha. Kaagaj me vidhi ke dad sudhansu bhatiya ka number tha. Us number ko bhanu ko de kar usne usse kaha ki is number ko trace karo aur iska call record bhi nikalwao.

Sara din isi me guzar gaya. Is beech dushyant kayi baar thane se baahar taftees ke liye gaya tha aur fir shaam ko apne flat aa gaya tha. Avinash ne garma garam khana banaya aur fir dono kha pi kar so gaye. Agle do teen din dushyant tafteesh me hi busy raha. Wo jaha jata avinash driver ke roop me uske sath hi rahta tha. Inspector dushyant ke sath rahne se avinash me ek change ye aaya ki wo ab pahle ki tarah gumsum aur shaant nahi rahta tha. Lekin bina vajah ke wo kisi se baat bhi nahi karta tha. Thane me sab usse shaleeke se baat karte the. Hawaldaar bhanu se uski achhi banne lagi thi. Bhanu jab bhi uske sath hota to wo apni aur apne chahete inspector dushyant ki hi badaayi karta jise avinash chup chaap sunta rahta.

Is beech inspector dushyant avinash ko ek jagah aur le gaya jaha par uske bare me pata kiya ja sake. Uske liye usne waha machino par avinash ke finger prints lagwaye. Inspector ko thoda jaldi nikalna tha is liye usne uske bare me jo bhi information mile uski report thane bhejwa dene ko kaha aur avinash ko le kar nikal gaya tha.

Inspector dushyant vidhi ki mom ke khooni ka aur uske dad ka pata lagane me byast tha. Is beech wo kayi baar tafteesh ka bahana kar ke vidhi ke ghar bhi gaya. Aisa pahli baar hua tha ki dushyant ko koi ladki pasand aayi thi aur uske dil ki ghantiya baja di thi magar maamla kyo ki uski mom ke murder ka tha is liye wo zyada is silsile me kuch kah nahi sakta tha. Wo jaanta tha ki uske dil me jis ladki ke liye ghantiya bajne lagi thi use haasil kar lena aasaan nahi tha. Kyo ki iske liye ye bhi zaruri tha ki vidhi ke dil me bhi uske liye ghanti baje. Khair apne dil ke jazbaato ko dabaye wo pure zor shor se shalini ke murder ki tafteesh kar raha tha. Jisme use gyaarwe din kaamyaabi mili.

Inspector dushyant ko jaisa ki shak tha wahi hua. Yaani shalini ka khooni khud uska hi pati sudhansu bhatiya tha. Aapsi sambandho ke beech hi kalah thi pati patni ke beech jiska pata vidhi ko nahi tha, balki ye kahna chahiye ki un dono pati patni ne apni aapsi kalah ke baare me beti ko bhanak hi nahi lagne dete the.

Sudhansu bhatiya shuru se hi rangeen mizaaj aadmi tha aur ye baat uski patni shalini ko bhi pata thi. Shalini ko uske rangeen mizaaj hone ya kisi dusri aurat ke sath najayaz sambandho se koi problem nahi thi magar baat tab bigad gayi jab sudhansu kisi dusri aurat ki khaatir apni patni shalini ko talaak dene ki baat karne laga. Is umar me apni patni ko talaak dena aur kisi dusri aurat se shadi karna thoda ajeeb to tha magar ishq aur junoon ke aage koi kuch nahi sochta.

Sudhansu apni biwi se talaak lena chaahta tha, jabki shalini talaak nahi de rahi thi. Itne saalo baad sudhansu ko is baat ka malaal hone laga tha ki uske vansh ko chalane ke liye uske koi ladka nahi hai. Shalini ko jab vidhi paida huyi thi tabhi doctor ne sudhansu ko bata diya tha ki wo ab kabhi dubara maa nahi ban sakti. Halaaki tab sudhansu aur shalini thoda dukhi to huye the magar baad me wo dono itne se hi khush ho gaye the. Wakt guzarta gaya aur unki beti vidhi jawaan ho gayi. Rangeen mizaaj sudhanshu ke kayi aurato se sambandh the aur ye baat shalini jaanti thi. Shalini ko is baat se koi problem bhi nahi thi magar achanak se ek din sudhansu ne shalini se kah diya ki use dusri shadi karni hai, kyo ki use apna vansh ko chalane ke liye ek beta chahiye. Sudhansu ki is baat se pahle to shalini ko jhatka laga magar fir kafi soch vichaar ke baad usne iske liye haan bhi kah diya tha.

Shalini ke agree hone par sudhansu ne saaf saaf kaha ki wo pahle use talaak dega uske baad hi dusri shadi karega. Asal me sudhansu jis aurat se shadi karna chaahta tha uski yahi shart thi ki wo usse tabhi shadi karegi jab wo apni pahli patni ko talaak de dega. Us dusri aurat ne sudhansu ka jaise brain wash kar diya tha aur sudhansu usi ke sur me apni biwi se baat karta tha. Maamla had se zyada bigadne laga. Vidhi ko is baat ka zara sa bhi andaza nahi tha ki uske saamne itne khush nazar aane wale uske mom dad asal me kitne bure daur se guzar rahe hain. Shalini talaak dene se saaf inkaar kar rahi thi. Uska kahna tha ki saari zindagi wo uske sath rahi aur is ghar ko usne ghar banaya. Is liye wo kisi bhi keemat par use talaak nahi degi. Use dusri aurat se shadi karna hai to kare magar uske liye wo use talaak nahi degi. Uska tark tha ki agar use apna vansh chalane ke liye bete ki itni hi chaahat thi to wo use tabhi talaak de deta jab use ye pata chal gaya tha ki wo dubara kabhi maa nahi ban sakti. Aaj pachees saalo baad use talaak dene ka kya matlab hua.? Kya uska pyaar uski ahmiyat zara bhi uske liye maayne nahi rakhti.?

Sudhansu us dusri aurat ke moh paash me fasa hua tha is liye wo uchit anuchit nahi soch raha tha. Jab maamla kafi bigad gaya aur sudhansu ko ye lagne laga ki shalini use talaak nahi degi to usne us aurat ki shah par khatarnaak mansuba bana liya. Us din vidhi apni kisi friend ke yaha gayi huyi thi aur ghar me shalini hi bas thi. Plan ke anusaar sudhansu apne office se ghar aaya. Shalini aur sudhansu akele me ek dusre se koi baat nahi karte the. Us din jab sudhansu ghar jaldi aa gaya to shalini uske jaldi ghar aa jane se chaunki zarur thi magar usne usse is bare me koi baat nahi ki. Udhar jaise hi shalini apne room me enter huyi to uske peechhe sudhansu bhi uske room me chala gaya.

Kamre me aa kar sudhansu ne shalini se fir talaak ke papers par apne sign karne ko kaha magar shalini ne sign karne se inkaar kar diya. Dono ke beech fir se bahas baazi hone lagi. Jaha sudhansu behad gusse me aa gaya tha wahi shalini ro rahi thi. Gusse me paglaye huye sudhansu ne coat se chaaku nikala aur isse pahle ki sir jhukaye ro rahi shalini kuch samajh paati sudhansu bijli ki tarah aage badha aur apni taraf peeth kiye khadi shalini ko peeche se daboch liya. Right hand me chaaku tha jise usne shalini ki gardan par laga diya tha. Shalini apne pati ki is harkat se buri tarah ghabra gayi, use zara bhi ummid nahi thi ki uska pati is sabke liye is had tak bhi ja sakta hai. Shalini ko uski is harkat se behad dukh hua aur uski aankhe chhalak padi. Jabki sudhansu ke andar jaise haiwaan sama gaya tha. Usne antim baar bhi shalini ke gale me chaaku rakhe usse talaak ke papers par sign karne ko kaha magar shalini ne rote huye kah diya ki apne jeete ji wo talaak nahi de degi, bhale hi chaahe ab wo uski jaan le le.

Shalini ke antim inkaar par sudhansu ko behad gussa aaya aur fir achanak se usne us chaaku ko shalini ke gale par cheera laga diya. Shalini ke gale se bhall bhall karke khoon bahta hua kamre ke farsh par bikharne laga. Dekhte hi dekhte shalini ke jism se harkat honi band ho gayi. Sudhansu ne ek jhatke se use chhod diya, jisse shalini kate pedh ki tarah lahra kar farsh par gir gayi. Gale se bahta hua khoon farsh par failta ja raha tha.

Sudhansu ke andar ka gussa aur junoon jab kuch shaant hua to use ekdam se hosh aaya. Aankho ke saamne apne hi khoon me nahaayi padi shalini ko dekh kar ek baar ko to wo buri tarah hil gaya tha magar fir usne jaldi hi khud ko samhala. Hairat ki baat thi ki apni biwi ke mar jane ka use koi dukh nahi hua tha. Shayad uske dil me ab us dusri aurat ne apna ashiyana bana liya tha. Khair sudhansu ne plan ke anusaar kuch der baad shalini ko farsh par faile uske hi khoon se ek taraf kiya aur fir drawer se ek mota sa tabe nikaal kar shalini ke gale me us hisse par laga diya jaha par usne chaaku se cheera lagaya tha. Tape lagte hi khoon ka bahna band ho gaya.

Ek ghante ki mehnat ke baad sudhansu apni biwi ko baaho me uthaye ghar se baahar aaya aur apni car ki diggi me daal kar diggi band kar diya. Shalini ke kamre ko usne do do baar achhe se ragad ragad ponchha lagaya tha taaki kamre me kahi par bhi khoon jaisi baat nazar na aaye. Uske baad wo car le kar highway no 5 ki taraf badh gaya tha. Highway no 5 me zyadatar sannata hi rahta tha. Sudhansu ne car ki diggi se shalini ko nikala aur sadak ke kinaare rakha. Shalini ke gale se us tape ko nikaal kar usne shalini ki dead body ko dhalaan par ludhka diya. Uske baad wo waapas apni car par baitha aur waha se chhu mantar ho liya.

Kahte hain jurm ki umar bahut hi chhoti hoti hai. Bade se bada apradhi bhi ek din kanoon ke shikanje me aa hi jata hai. Sudhansu ne to fir bhi naya jaya jurm kiya tha ek aurat ke chakkar me. Vinaas-kaale vipreet buddhi isi ko kahte hain. Ek hasta khelta chhota sa pariwar tha. Aurate to bahut aayi thi uski zindagi me magar is baar ek aisi aurat aayi thi uski zindagi me jisne sudhansu ke paise ko dekha aur uske andar ek chaahat ko jaga diya. Aaj ke wakt me ladka ladki me koi bhed nahi rakhta. Bahut se aise maa baap hain jinke bete nahi hote magar wo ladki ko hi beta maan lete hain aur usi se khush rahte hain. Duniya me aise bhi maa baap hain jinke koi aulaad nahi hoti to wo kisi anaath bachche ko apna beta/beti bana lete hain. Wo ye nahi sochte ki wo anaath bachcha kiska beej hoga, balki wo ye sochte hain ki wo bhi bhagwan ka banaya hua ek jeev hai jiski niyati me anaath hona likha tha.

Aise jurm jab hote hain to buddhi aur vivek shoonya ki isthiti me hote hain. Sochne samajhne ki shakti narmal aur saaf nahi rahti. Police kisi bhi case par kitni imaandari dikhati hai ye to sabhi jaante hain magar baat jab dil ki ho to maamla zara juda ho jata hai. Waise to is case me kuch nahi tha magar kisi ke dil me jagah banane ke liye shayad use jariya diya tha bhagwan ne. Inspector dushyant ne sudhansu ki talaash me zor laga diya tha. Sudhansu ne apna mobile das din se switch off kar rakha tha aur jaise hi uska mobile on hua to uski location trace ho gayi. Bas fir kya tha dushyant ne use pakadne me koi kasar nahi chhodi. Call record se use kisi Rajni Patel naam ki aurat ka number mila tha jiske number par sudhansu ne sabse zyada baat cheet ki thi. Dushyant ne jab rajni patel ko pakda aur usse shakhti se puchhtaach ki to usne aakhir ugal hi diya sab kuch.

Vidhi ko jab is sabka pata chala to jaise wo toot hi gayi thi. Apne baap ke seene me rote huye mukke maar maar kar usne puchha tha ki unhone aisa kyo kiya.? Sudhansu ke paas jaise uske sawaalo ke koi jawaab na the. Patthar ki tarah kathor dikh raha tha wo us wakt magar beti ke rudan ne jaise use pighla diya aur fir apne kiye par foot foot kar ro pada tha. Coart ne sudhansu ko umar kaid ki saza sunaayi. Rajni patel ko bhi saza huyi uska sath dene aur khoon karne ke liye uksane ke liye. Shalini ki dead body ko sudhansu ne hi agni di. Dhire dhire wakt guzarta gaya aur sab kuch jaise dhundhla hone laga magar itne bade ghar me jaise viraaniya vidhi ke hi intzaar me thi. Inspector dushyant har roz ek baar vidhi se milne jata aur usse uska haal chaal puchhta aur usse kahta ki agar use kisi bhi baat ki koi takleef ho to wo use phone kare. Wo uske phone karne par usi wakt haazir ho jayega.
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,928
143
BEGUNAAH
Update - 09


Ab Tak,,,,,

Vidhi ko jab is sabka pata chala to jaise wo toot hi gayi thi. Apne baap ke seene me rote huye mukke maar maar kar usne puchha tha ki unhone aisa kyo kiya.? Sudhansu ke paas jaise uske sawaalo ke koi jawaab na the. Patthar ki tarah kathor dikh raha tha wo us wakt magar beti ke rudan ne jaise use pighla diya aur fir apne kiye par foot foot kar ro pada tha. Coart ne sudhansu ko umar kaid ki saza sunaayi. Rajni patel ko bhi saza huyi uska sath dene aur khoon karne ke liye uksane ke liye. Shalini ki dead body ko sudhansu ne hi agni di. Dhire dhire wakt guzarta gaya aur sab kuch jaise dhundhla hone laga magar itne bade ghar me jaise viraaniya vidhi ke hi intzaar me thi. Inspector dushyant har roz ek baar vidhi se milne jata aur usse uska haal chaal puchhta aur usse kahta ki agar use kisi bhi baat ki koi takleef ho to wo use phone kare. Wo uske phone karne par usi wakt haazir ho jayega.

Ab Aage,,,,,,



"Aree thoda sa to pi le yaar." Yaswant ne table ke us paar baithe dushyant ki taraf dekhte huye kaha_____"Akele pine me maza nahi aa raha mujhe."
"Pi to rahe hain na pyare." Dushyant ne apne hath ki do ungaliyo me fasi cigarette ko dikhate huye kaha_____"Ye apni pasand ki cheez hai, jabki tum jo pi rahe ho wo tumhari pasand ki cheez hai magar dono me ek baat common hai ki pi rahe hain ham dono."

"Mujhe to cigarette bhi pasand hai bhai." Yaswant ne wine se bhare glass ko muh se laga kar ek ghoont bharne ke baad kaha_____"Jab ki tu wine nahi pita. Is liye bol raha hu ki akele pine me maza nahi aa raha."
"Tension mat lo meri jaan." Dushyant ne cigarette ka dher sara dhua hawa me udaate huye kaha_____"Ek din ham bhi is sharaab ko piyenge magar us din jis din iske sath sath koi shabaab bhi hoga."

"Abe tu ek baar bol to." Yaswant ne kaha______"Tere liye shabaab ki line laga duga main."
"Aisa shabaab nahi chahiye pyare." Dushyant ne inkaar me sir hilate huye kaha______"Aise shabaab ki to ham bhi pal bhar me line laga sakte hain. Apne ko to wo shabaab chahiye dear jo dil ki ghantiya bajaye aur jis par nisaar ho jane ka dil kare."

"Fir to bhool ja tu." Yaswant ne ek hi saans me glass ko khaali karne ke baad kaha_____"Kyo ki aisa shabaab na to duniya me kahi maujood hai aur na hi teri kismat me likha hai."
"Ab se pahle hame bhi yahi galat-fahmi thi pyare." Dushyant ne kaha______"Magar ab apni gardish ke sitare hazaar walt ke bulb ki maanind jagmagate huye nazar aa rahe hain."

"Is bakwas ka kya matlab hua.?" Yaswant ne halke nashe me apni aankho ko failate huye kaha.
"Matlab ko to hamne ek baar fir se tel lene bhej diya hai pyare." Dushyant ne apne hi andaz me kaha_____"Magar ham apni zubaani bata dete hain tumhe magar samajh me nahi aata pyare ki bataye kaise.?"

"Tu fir se shuru ho gaya.??" Yaswant ne use ghoora.
"Abhi shuru kaha huye hain pyare.?" Dushyant ne kaha____"Usi ke bare me to soch rahe hain ki kaise shuru kare.? Sala pahli baar kisi ko dekh kar apne dil ki ghantiya pure sur me baji hain."

"Kya matlab…??" Yaswant is baar chaunka. Usne dhyaan se dushyant ke us chehre ko dekhne laga tha jis chehre me is wakt use kuch alag hi bhaav nazar aa rahe the.
"Matlab to swimming pool me bhare pani ki taraf saaf hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Ye alag baat hai ki tum jaise andho ko nazar nahi aa raha. Khair to ham ye kah rahe the ki pahli baar kisi ko dekh kar apne dil ke taar jhanjhanaye hain. Kuch dino se apna haal e dil ye hai ki kuch bhi achha nahi lag raha. Sirf is baat ke ki bas uske hi khayaalo me khoye rahe. Haye meri jaan ye kya ho gaya hai hame.? Samajh me nahi aata ki khud ko aise kaun se doctor ko dikhaye jo hamare behaal huye haal ko durust kar de."

"Teri is bakwas se sari utar gayi." Yaswant ne bura sa muh banaya, fir wine ko glass me daalte huye kaha______"Main socha karta hu ki tujhe aisi bakwas karne se kya milta hoga.?"
"Tum saale hamari baato ko bakwas kah rahe ho.?" Dushyant ne dukhi bhaav se kaha_____"Sach kaha hai kisi ne ki dusra byakti kisi ki peeda ko nahi samajh sakta. Tum bhi saale dusre hi nikle."

"Tujhe achhi tarah jaanta hu main." Yaswant ne kaha______"Tu bakwas ke alawa kuch nahi karta."
"Nahi samjhoge pyare." Dushyant ne gahri saans lete huye kaha_____"Tumhare jaisa koodhmagaj insaan samajh bhi nahi sakta. Khair chhodo ye bataao avinash ke bare me kya teer chalaya tumne.?"

"Thanks god ki line par aa gaya tu." Yaswant ne muskurate huye kaha______"Khair avinash ne apni kahani me jo kuch bataya tha uska pata kiya maine. Detail tune phone par bataya tha to maine un jagaho par ja kar pata kiya jaha par wo starting me kaam karne gaya tha. Uski kahani me ye baat sach nikli ki bhaskar naam ka ek sheth hai. Yaha se 100km door dusre shahar me hai wo. Us sheth ko jab maine avinash ki photo dikhaayi aur usse puchha to wo pahchan gaya use. Pahle to saale ko yaad nahi aa raha tha magar jab use achhe se bataya tab use yaad aaya. Bas uske baad usne bhi wahi kissa bataya jo avinash ne bataya tha. Matlab ki avinash uske yaha kaam karta tha aur fir ek din isne uski car thik ki to usne ise kisi car garage me kaam par lagwa diya tha. Us car garage ke maalik ka naam Narayan Saini tha. Main jab usse mila to usne bhi bataya ki avinash uske yaha kaam karta tha aur fir maheene bhar baad ek din use police pakad kar le gayi thi. Us police case ke chalte usne ise kaam se nikaal diya tha. Uske baad main waha ke police station par gaya jaha par avinash ko pakad kar laya gaya tha. Kafi masakkat ke baad aakhir pata chal hi gaya ki unhone ise pakda tha magar isne apna jurm kabool nahi kiya tha. Waha ke thanedaar ne bataya ki unhone iska case file nahi kiya tha balki aise hi poochtaanch aur uski kutaayi karne ke baad chhod diya tha. Uske baad main us thanedaar ki help se us jagah bhi gaya aur puchtaanch ki jaha par avinash rahta tha aur jaha par ise fasaya gaya tha. Waha par bhi makaan maalik ne ise gaaliya dete huye yahi bataya ki isne unke yaha chori ki thi aur unke ghar ki ijjat ko kharaab karne ki koshish ki thi. Kahne ka matlab ye ki avinash ne jo kuch apne bare me bataya tha wo ekdam sach tha."

"Yakeen to hame bhi tha pyare." Dushyant ne ek nayi cigarette jalane ke baad kaha_____"Kyo ki hamne bhi use aise hi jurm me pakda tha aur uski achhi khaasi khaatirdaari ki thi. Uske baad yahi kissa tumne bhi dohraya. Ye dono case hamare liye ye sochne ke liye kafi the ki avinash ke maamle me kuch to baat zarur hai. Uski kahani jhoothi nahi ho sakti aur na hi ye jhooth ho sakta hai ki uski yaad-daast ja chuki hai. Bhala koi bhi insaan baar baar aisa kuch hona kaise chaah sakta hai.?"

"Aisa koi nahi chaah sakta dushyant." Yaswant ne table par rakhe cigarette ke packet se ek cigarette nikaalte huye kaha_____"Matlab saaf hai ki avinash apni jagah paak saaf hai magar ye bhi sach hai ki usne apni pichhli zindagi me kisi ke sath koi na koi kaand zarur kiya hai aur usi kaand ke chalte aaj uske sath aisa ho raha hai. Sochne wali baat hai ki avinash ka dushman usko har baar ek hi jurm me kyo fasata hai aur uska hi chehra kyo lagata hai.? Kya aisa ho sakta hai ki avinash ka koi judwa bhai ho jo uske jaisi shakl-o-surat ka ho.?"

"Ho sakta hai pyare." Dushyant ne kaha_____"Aur agar aisa hai to maamla family matter ka hi hoga magar sawaal ye hai ki family me bhala aisa kya matter ho sakta hai ki ek bhai apne hi bhai ka itna bada dushman ban jaye.?"

"Kuch na kuch to matter hoga hi." Yaswant ne cigarette ka gahra kash lagane ke baad kaha______"Magar hairat ki baat hai ki hamne uski photo news channels me bhi di lekin abhi tak uski pahchaan karne wala koi saamne nahi aaya."

"Uske paas jo adhar card tha." Dushyant ne kaha_____"Wo bhi farzi hi hai dear. Kyo ki uske finger prints data base me daalne se uski koi pahchaan saamne nahi aayi. Iska ek hi matlab hai ki uska adhar card bana hi nahi hai. Kahne ka matlab ye ki uske bare me pata karne ka ab hamare paas koi jariya nahi hai. News channels ke dwara abhi bhi uske bare me pata karne ki koshish ki ja rahi hai. Hamare paas ab yahi raasta hai ki ya to news channels par koi use pahchaan le aur uske bare me pata karne ke liye hame phone kare ya fir uski yaad daast waapas aa jaye."

"Ek raasta ye bhi to hai ki is baar jab uska dushman use fasane aaye to use pakad liya jaye." Yaswant ne kaha______"Usi se pata chalega ki wo ye sab uske sath kyo kar raha hai aur avinash asal me hai kaun.?"

"Baat to thik hai pyare." Dushyant ne kaha______"Magar hame ye bhi sochna hoga ki wo itna ahmak nahi ho sakta jitna ham samajh rahe hain. Kahne ka matlab ye ki itna to use bhi pata chal hi gaya hoga ki is baar avinash kahi dusri jagah kiraye se kamra le kar nahi rah raha hai balki is baar wo ek police wale ke sath rah raha hai, wo bhi police ki protection me. Is liye mumkin hai ki is baar wo avinash ko fasane jaisa koi kaam hi na kare."

"Uska shuru se track recard to yahi tha ki wo har dusre maheene avinash ko fasata aaya hai." Yaswant ne table par dono kohni rakhte huye kaha______"Aur jis safaayi se wo ye sab karta aaya hai usse zaahir hai ki wo is baar bhi karega. Mere khayaal se avinash ko har baar is tarah se fasana uski kisi majburi ka hissa hai."

"Aisi bhala kya majburi hogi pyare.?" Dushyant ki aankhe faili.
"Koi to majburi hogi hi." Yaswant ne kaha_____"Warna har dusre maheene avinash ko fasane ki zarurat kya hai use.? Uski is activity se ye zaahir hai ki wo avinash par barabar nazar rakhta hai. Yaani wo avinash ki har movement ki khabar rakhta hai. Wo chaahe to kabhi bhi avinash ke sath kuch bhi kar sakta hai magar wo sirf use fasata hai. Uski is kriya ke peechhe uski koi na koi majburi hogi ya fir koi aisi vajah jiske bare me filhaal ham soch nahi pa rahe."

"Chalo maan liya pyare." Dushyant ne kaha_____"To uske track recard ke anusaar uske liye fir ye bhi zaruri hoga ki avinash kisi aisi jagah par rahe jaha par koi aurat ho aur us auarat ke gahne ho. Taaki wo in dono ke base par avinash ko fir se fasa sake."

"Bilkul." Yaswant ne kaha_____"Uska ab tak ka recard to yahi raha hai magar lagta hai ki is baar use apna ye recard change karna padega. Kyo ki avinash to tumhare sath rah raha hai aur tum na to koi aurat ho aur na hi tumhare paas aurato wale koi gahne hain."

"Aurat ka jugaad hamne kar liya hai pyare." Dushyant ne garv se seena fulate huye kaha_____"Aur us aurat ke gahno ka bhi jugaad ho hi gaya hai samjho."
"Kya matlab.????" Yaswant halke se chaunka.

"Yahi to shuru me samjha rahe the pyare." Dushyant ne gahri saans kheenchte huye kaha______"Magar tumko to hamari baate bakwas hi lagti hain."
"Ab bataoge bhi." Yaswant ne bura sa muh banate huye kaha_____"Aakhir aisi kaun si aurat ka jugaad kar liya hai tumne.?"

"Upar wala bhi jaanta hai pyare." Dushyant ne updar ki taraf ungli uthate huye garv se kaha______"Ki kitne bade tees maar khaan hain ham. Bas ek tum hi ho duniya me jo koodhmagaj hi rah gaye. Sala kitni baar hamne guhaar lagate huye kaha ki pahli baar kisi ko dekh ke dil ki ghantiya baji hain magar tum ko to sale hamari guhaar bhi bakwas lag rahi thi."

"Ok i'm sorry." Yaswant ne narmi se kaha_____"Mujhe laga tha ki tum fir se shuru ho gaye the."
"Na....aise tumhari sorry ham kubool nahi karenge." Dushyant ne maano roothe huye lahje se kaha_____"Balki tab kubool karenge jab tum murga ban ke sorry bologe."

"Bhaad me jaao tum." Yaswant ne gusse me kaha______"Batana hai to bataao warna ja raha hu main."
"Tum to sale kuwari kanya ki tarah current maarte ho pyare." Dushyant ne kaha______"Khair koi baat nahi. Ab jab tum itna hi request kar ke puch rahe ho to bataye dete hain. Asal me baat ye hai my dear ki aaj kal ham kisi haseen kanya ki mohabbat me giraftaar ho gaye hain aur ab to haal ye hai ki raat din uski yaad me bahaye huye aanshuo ka sharbat bana bana ke peete hain. Tumhare hone wale biwi bachcho ki kasam pyare itna meeta sharbat hamne apni ab tak ki life me aaj tak nahi piya."

"Achha." Yaswant ne chakit hone ka naatak kiya______"To zara ye bhi bataao ki kis kanya ke naseeb footne wale hain.?"
"Naseeb footne wale nahi hain pyare." Dushyant ne ek nayi cigarette jalane ke baad kaha______"Balki foote huye naseeb sawarne wale hain. Badi romantic love story hai meri jaan. Hamne suna tha ki khuda jab deta hai to chhappar faad ke deta hai aur jab leta hai to sab kuch faad ke le bhi leta hai magar apna maamla zara juda hai."

Inspector dushyant ne yaswant ko shalini murder case ki sari story bata di. Uski sari baate sunne ke baad yaswant kuch der tak dushyant ko dekhta raha fir eka ek hi zor zor se hasne laha. Use haste dekh dushyant use murkho ki tarah dekhne laga tha.

"Kya hua pyare.?" Dushyant ne kaha_____"Yu gala faad faad kar kyo hase ja rahe ho tum.? Kya hamne koi joke sunaya tumhe.?"
"Tumne hasne wali baat hi ki bhai." Yaswant ne kaha_____"Ye to maine maan liya ki tumne shalini murder case ko badi safaayi se aur badi jaldi solve kar liya magar isme kisi aurat ka jugaad jaisi baat kaha hai.?"

"Hai na pyare." Dushyant ne bhi apni dono kohaniyo ko table par rakha aur fir yaswant ki aankho me dekhte huye bola_____"Isi me to aurat ka jugaad hua hai, balki ye kahe to zyada behtar hoga ki hame apne liye jis gule gulzaar ki khwaahish thi wo is case me hi mili hai. Marne wali aur khoon karne wali ki iklauti beti Vidhi ki baat kar rahe hain ham. Usi ki mohabbat me giraftaar huye hain pyare aur ab aalam ye hain ki na din ko chain hai aur na hi raato ko karaar hai. Haye ye mohabbat naam ki bala hame bhi ho gayi meri jaan. Sala chaubiso ghante hamare andar ajeeb si gudgudi hoti rahti hai."

"Ohh to ye baat hai." Yaswant ko jaise saari baat samajh me aa gayi, bola_____"Waise ye to kamaal hi ho gaya. Udhar maa bhagwan ko pyari huyi aur baap ko umar kaid huyi...aur idhar unki beti par tumne dore daalne shuru kar diye. Had hai yaar kisi masoom ki majburi ka achha faayda utha rahe ho tum."

"Hargiz nahi pyare." Dushyant ne inkaar me sir hilaate huye kaha_______"Ham us par koi dore nahi daal rahe. Hame to bas usse iktarfa mohabbat huyi hai. Hame nahi pata ki wo hamare bare me kuch sochti bhi hai ya nahi magar tumhare parwar digaar se ham raat din dua zarur karte hain ki jiske liye hamare dil ki ghantiya bajne lagi hain use hamari bana do. Waise bhi maa baap ke jane ke baad ab wo akeli hi hai. Is duniya me use sahara dene wala bhi to koi chahiye."

"Baat to thik hai bhai." Yaswant ne kaha_____"Magar ye bhi to ho sakta hai ki uska pahle se hi koi boy friend ho aur agar aisa hua to tumhare khwaab aur tumhari khwaahish par to paani hi fir gaya samjho."

"Ham tumhari tarah dimaag se paidal nahi hain pyare." Dushyant ne kaha______"Uske boy friend wali baat hamne bhi sochi thi aur apne tarike se pata bhi kiya hai. Hamari tafteesh ka result ye nikla ki uska kuch saal pahle kisi se chakkar to tha college life me magar fir wo chakkar jald hi band bhi ho gaya tha aur ab wo single hai jiske sath ham mingle karne ka irada rakhe huye hain."

"Ohh matlab sab kuch uske bare me pata kar chuke ho tum.?" Yaswant halke se muskuraya______"Khair to baat kuch aage badhi ya.....?"
"Aaj kal isi kaam me lage huye hain pyare." Dushyant ne bhi muskurate huye kaha_____"Usko apna banane ke liye har wo kaam kar rahe hain jo ek ashiq apni premika ke liye karta hai."

"Waaah bahut khoob." Yaswant ne haste huye kaha_____"Tere liye kuwari kanya ka jugaad to ho gaya magar mujhe nahi lagta ki maheene bhar ke andar andar tu uske sath fere le payega. Agar aisa nahi hua to fir us kaam ka kya hoga jiske liye avinash ko tumne apne paas rakha hai.?"

"Uske liye fere lene ki kya zarurat hai pyare.?" Dushyant ne kaha______"Baat to sirf aurat ya ladki ki hai aur uska jugaad ho gaya hai. Abhi maheene bhar ka time hai. Tab tak ham vidhi ke dil me apne liye aisi jagah bana hi lenge ki ham use ya to apne sath rakhne lage ya fir uske hi shaahi mahal me avinash ke sath apni tasreef ka tokra rakh de."

"Idea to badhiya hai yaar." Yaswant ne kuch sochte huye kaha_____"Magar zara samhal ke. Vidhi ko bali ka bakri banane ke chakkar me kahi uske sath sach me kuch ulta seedha na ho jaye."
"Fikar mat karo pyare." Dushyant ne kaha______"Ham apni gule gulzaar ki hifaazat apni jaan se bhi zyada karenge."

Kuch der aur un dono ke beech isi silsike me baate huyi uske baad dono apne apne raaste ho liye. Yaswant halke nashe me tha jabki dushyant ne wine ko hath bhi nahi lagaya tha. Ek nayi cigarette sulgaye wo restaurant se baahar aa gaya tha. Avinash ko wo apne flat me hi chhod aaya tha ye kah kar ki flat se baahar kahi na jaye.

<>•<>•<>

Us wakt sham ke nau baj rahe the jab inspector dushyant ne apni gipsy ko vidhi ke shandaar ghar ke baahar roka tha. Ye uska roz ka kaam ho gaya tha. Yaani ki wo din me ek baar kisi bhi time vidhi ke ghar usse milne zarur jata tha. Shuru me to vidhi ko uska yu aana jana ajeeb lag raha tha aur use thodi ghabrahat bhi hoti thi magar dushyant ke achhe rawaiye aur uske saaf nature ki vajah se uska dar aur ghabrahat door ho gayi thi. Apni mom ki maut se wo dukhi rahti thi. Use yakeen nahi hota tha ki uske mom dad ek jhatke me is tarah uska sath chhod gaye the.

Inspector dushyant vidhi ke liye kuch bhi karne ko taiyaar tha. Life me pahli baar use koi ladki pasand aayi thi aur uske dil me meetha meetha sangeet baja tha. Yu to wo kisi se bhi apne andaaz me do took baat karne se nahi jhijhakta tha magar vidhi se baat karne me use jhijhak mahsus hoti thi. Iske baavjud wo koshish karta tha ki uski vajah se vidhi ko kisi tarah ki koi takleef na hone paye. Sudhanshu bhatiya ka apna karobaar tha jise samhaalne wali ab sirf vidhi hi thi magar use bhi pata tha ki uske liye karobaar ko akele samhaalna bas ki baat nahi thi. Halaaki uske dad ke karobaar ko samhaalne me uski madad karne ke liye company me kayi karmchaari the magar use pata tha ki majuda halaat me har koi use chuna lagane me koi kasar nahi chhodne wala tha.

Dushyant ne door bell bajaayi to kuch hi palo me vidhi ne darwaza khola. Vidhi ke chehre par nazar padte hi dushyant ka dhadakta hua dil thoda aur zor zor se dhadakne laga. Wo har wakt bhagwan se yahi dua karta tha ki vidhi ke dil me uske prati prem bhar de magar hakikat me wo khud is bare me kuch bhi karne ya kahne se jhijhakta tha.

Dushyant ko apni taraf aplak dekhta dekh vidhi ke gulaabi hotho par halki si muskaan ubhri magar fir usne jaldi hi use chhupa liya aur ek taraf hat kar usne dushyant ko andar aane ka raasta diya. Vidhi jab ek taraf hati to dushyant ka dhyaan bhang hua aur wo ekdam se chaunk gaya tha.

Thodi hi der me dono andar dring room me aa gaye aur waha rakhe sofo par aamne saamne baith gaye. Baithne ke sath hi roz ki tarah dushyant ne vidhi se uska haal chaal puchha jis par vidhi ne yahi kaha ki wo thik hai, bas itne bade ghar me akele rahne se use apne mom dad ki bahut yaad aati hai.

Vidhi koi bachchi nahi thi balki pachchees saal ki ek jawaan aur khubsurat ladki thi. Itna to wo bhi samajhti thi ki inspector ka yu roz roz uske ghar aane ka kya matlab ho sakta hai.? Wo ye bhi samajhti thi ki koi dusra police wala hota to case solve hone ke baad uske paas yu roz roz na aata magar wo is bare me dushyant se kuch kah nahi kahti thi. Balki use kuch der ke liye achha hi lagne lagta tha ki koi to hai jo uski tanhaaiyo ko door karne ke liye uske paas roz aata hai. Dushyant ki aankho me apne liye bepanaah chaahat use bhi nazar aati thi. Shuruaat me to use bahut ghabrahat hoti thi aur yahi chaahti thi ki dushyant uske ghar na aaye magar jab usne dekha ki dushyant ke aane se use koi nuksaan nahi hai to usne is baat ke liye ghabrana ya jhijhakna chhod diya. Mom dad ke jane ka dukh to tha hi magar dushyant ke aane se aur uske dwara is tarah uska haal chaal puchhne se ab use achha bhi lagne laga tha. Wo kafi dino se dushyant ke bare me soch rahi thi aur sochne ke baad use yahi samajh aaya ki ye police wala uske liye apne dil me chaahat rakhta hai. Magar sochne se kayi sari baate bhi sochni padti hain. Jaise ki kya ye chahat uski daulat se hai ya fir sach much ki mohabbat hai. Kahi aisa to nahi ki use akela dekh kar koi uske sath kuch galat karne ki bhumika bana raha hai.?

"Thane se laut raha tha to socha tumhara haal chaal bhi puchhta jaau." Vidhi ko kahi khoye huye dekh dushyant ne khamoshi ko cheerte huye kaha to vidhi hakikat ki duniya me aayi.
"Kya main aapse ek sawaal puchh sakti hu.?" Vidhi ne jhijhakte huye kaha______"Agar aapko bura na lage to."

"Bilkul puchho." Dushyant ne kah to diya magar ekdam se uska dil zoro se ye soch kar dhadakne laga tha ki vidhi usse kis tarah ka sawaal puchhne wali hai.? Fir thoda samhalte huye bola______"Bura lagne wali bhala kya baat hai.?"

"Main kafi dino se soch rahi hu." Vidhi ne dhadakte huye dil se kaha______"Ki meri mom ke qaatil yaani ki mere dad ko aapne pakad liya aur unhe kanunan saza bhi dilwa di aapne. Ek tarah se ye case ab close ho chuka hai to ab aap yaha kis liye aate hain.? Dekhiye aap please meri is baat ka bura mat maaniyega."

"Are nahi isme bura maanne ki kya baat hai." Dushyant ka dil zoro se dhadakne laga tha. Wo khud bhi bakhubi samajhta tha ki ek din vidhi usse ye sawaal zarur kar sakti hai...aur agar nahi bhi karegi to uske man me ye sawaal to hoga hi ki wo har roz ab kyo uske ghar aata hai.? Khair apne aapko samhaalte huye pratyaksh me bola______"Aisi surat me to koi bhi ye sawaal kar sakta hai aur aise sawaal ka paida hona bhi laazmi hai."

"To fir bataaiye na." Vidhi ne nazar utha kar dushyant ki taraf dekha fir boli_____"Aakhir aisi kya vajah hai jiske liye aap har roz mujhse milne aate hain.? Main sirf sach jaanna chaahti hu aapse."

"Ye sach hai." Dushyant ne gahri saans li aur khud ke jazbaato ko samhaalte huye santulit bhaav se kaha_____"Ki case close hone ke baad mera yaha aane ka koi matlab nahi banta. Iske baavjud main yaha tumhara haal chaal puchhne aata hu to iske peechhe yakinan ek khaas vajah hai. Ho sakta hai ki sach jaan kar tumhe achha na lage ya fir tum mujhe galat samjho magar ab jab ki tumhe sach hi sunna hai to main bhi jhooth nahi boluga. Mera maanna hai ki kisi bhi rishte ki buniyaad jhooth par nahi rakhni chahiye." Dushyant kahte kahte kuch palo ke liye ruka uske baad ek baar fir se gahri saans li usne.

"Maine jab tumhe pahli baar dekha tha." Dushyant ne gahri saans lene ke baad kaha______"Tabhi mujhe aisa laga jaise mere dil me kuch hua hai aur fir baad me samajh bhi aa gaya ki wo asal me kya tha magar us bare me tumse kuch kahne ki mujh me himmat hi nahi huyi thi. Dusri baat ye bhi thi ki waisi baato ke liye situation bhi waisi nahi thi aur sabse important baat ye ki mujhe apni aukaat bhi yaad rakhni thi. Aakhir zameen me pada hua ek maamuli sa insaan aasmaan me chamakte huye khubsurat chaand ki khwaahish kaise rakh sakta hai.? Magar wo insaan iska kya kare ki sab kuch jaante samajhte huye bhi wo usi chaand ki khwaahish rakhne lage.? Ye sach hai vidhi ki life me pahli baar ek ladki ke roop me tum mujhe achhi nahi balki bahut achhi lagi aur mere dil ne ek pal bhi tumse mohabbat karne me wakt jaya nahi kiya. Yahi vajah hai ki main har roz tumse milne yaha aata hu. Main jaanta hu ki meri is iktarfa chaahat ka koi matlab nahi hai magar apne dil ki tasalli ke liye tumhe dekhne chala aata hu."

Inspector dushyant ke chup hote hi dring room me blade ki dhaar ki maanind paina sannata chha gaya. Vidhi ke chehre par jaha hazaro tarah ke bhaav gardish karte huye nazar aa rahe the wahi dushyant ye soch soch ghabraye ja raha tha ki uski baate sun kar vidhi jane usse kya kahegi. Uska dil itni tezi se dhadak raha tha ki uski dhamak use apni kanpatiyo me bajti saaf mahsus ho rahi thi.

"Dekho vidhi." Vidhi ko chup dekh kar dushyant se raha na gaya to wo bol pada tha_____"Agar tumhe meri baato se takleef huyi ho to tum mujhe maaf kar dena. Tum meri baato se khud ko majbur hona feel mat karna. Tumhari apni zindagi hai. Tum apne kisi bhi faisle ke liye puri tarah azaad ho. Maine to tumhare puchhne par apne andar ka sach bataya hai. Agar tumhe ye sab achha nahi laga ya fir mera yaha aana achha nahi lagta to tum bekhauf ho kar bol sakti ho. Main wada karta hu ki dubara apni shakal nahi dikhaauga tumhe."

"Nahi aisi baat nahi hai." Vidhi ne larajte huye swar me kaha_____"Mujhe aapki baato se bilkul bhi bura nahi laga balki achha hi laga ki aapne sab kuch sach bata diya. Is baat ka to mujhe bhi andesha tha ki aapke man me aisi hi koi baat hogi. Mom dad ke alawa mera ab apna koi nahi hai. Aise me agar aap mera haal chaal puchhne aate hain to kahi na kahi mujhe ye soch kar dar bhi lagta hai ki kahi aapke man me koi chhal kapat to nahi."

"Main samajh sakta hu vidhi." Dushyant ne kaha_____"Aise halaat me koi bhi ladki yahi sochegi aur main khud bhi yahi kahuga ki tum kisi par bhi aankh band kar ke aitbaar mat karna. Fir chaahe main hou ya koi aur."

"Kya aap mera ek kaam kar sakte hain.?" Vidhi ne kuch der chup rahne ke baad pahlu badalte huye kaha______"Actually mujhe apne dad se milna hai. Unse kuch zaruri baat karni hai. Is liye kya aap mere dad se milne ka intjaam karwa sakte hain.?"

"Bilkul karwa sakta hu." Dushyant ne kaha_____"Kab milna hai.?"
"Kal hi unse mulakaat ho jaye to behtar hai." Vidhi ne kaha.
"Thik hai." Dushyant ne kaha______"Kal dopahar ko main yaha aauga. Uske baad ham sath hi chalenge."
"Ohh thank you so much." Vidhi ke chehre par khushi ki chamak ubhar aayi thi.

Inspector dushyant kuch der aur waha raha uske baad usne vidhi se jane ki ijaazat maagi to vidhi ne use dinner karne ka puchha to dushyant ne ye kah kar mana kar diya ki fir kisi din. Vidhi ke ghar se nikalne ke baad dushyant apni police gipsy me baitha aur apne flat ki taraf nikal gaya. Uske chehre par is wakt ek alag hi chamak dikh rahi thi.
 

Top