Romance Bepanaah Ishq

Newbie
27
6
3
Pyaar ishq mohabbat isse badi koi taqat nhi. Yeh zindagi ko ek naye mukaam pe pahoncha sakti hai toh zindagi ko barbaad bhi kar sakti hai. Jisko zindagi mein sachha pyaar mila uski zindagi sawar gayi. Kuch log apni jidd ko pyaar ka naam dete hai jiske baad unhe puri zindagi tadapna padhta hai. Yeh Kahani bhi aisi hi hai.
 
Newbie
27
6
3
Introduction
Savitri Kapoor(Dadi)- Yeh hai apne hero ki dadi. Ghar ki sabse senior member. Inki baat ghar mein koi nhi taalta. Ghar mein sab inka samman karte hai. Inke pati ki death kuch saal pehle hochuki hai natural tarike se. Apne sabhi pote potiyon se bahot pyaar karti hai.

Inke 2 bete hai.

Vijay Kapoor(Bade Papa)- Yeh apne hero ke pita ke bade bhai hai. Bahot hi suljhe hue insaan hai. Apne parivaar se bahot pyaar karte hai. Apne bhai ke saath hi business karte hai.

Ragini Kapoor(Badi Mummy)- Yeh apne hero ki badi mummy. Thodi mazakiya kisam ki aurat hai. Apne hero ko apni devrani ka nhi khud ka beta maanti hai. Apna hero bhi apni maa se jyaada inke paas raha hai.
Inka 1 beta hai jiski shaadi hochuki hai.

Karan Kapoor- Yeh ghar ka bada beta. Ek imaandaar IPS officer. Bachpan se hi police banne ka shauk tha. College ke baad usi shauk ko pura kiya. College mein hi ek ladki se pyaar hogya tha. IPS banne ke baad inhone shaadi karli hai. Abhi bas 6 mahine hi hue hai. Apne sabhi bhai behen se bahot pyaar karta hai.

Nandini Kapoor: Karan ki patni. Ghar ki badi bahu. Bahot hi pyaari hai. Ghar mein sabka mann behla ke rakhti hai. Apne se bado ka aadar samaan karti hai. Aur choto se pyaar karti hai. Ek housewife hai. Inko aur Karan ko milane mein Raj ke saath ek shaks ne bahot saath diya tha.

Ashok Kapoor(Papa)- Yeh hai apne hero ke papa. Mumbai ke ek jaane maane businessman. Aise toh yehlog Rajasthan ke Jaipur se belong karte hai. Par pichle 18 saal se yehlog Mumbai mein hi rehte hai.

Smita Kapoor(Mummy)- Yeh apne hero ki mummy hai. Ek housewife hai. Apne sabhi bachho se bahot pyaar karti hai. Hero mein toh inki jaan basti hai. Jab tak woh khaana naa khaale yeh khaana nahi khaati.

Inke 3 bachhe hai.

Shruti Kapoor- Yeh hero ki badi behen hai. Apne hero se 2 saal badi hai. Apne chote bhai beheno se bahot pyaar karti hai. Khaash kar apne hero se. Apni bhabhi se bahot masti karti hai bilkul best friend ke jaise. Shaadi tay hochuki hai inke hi pasand ke ladke se. College love hai. Filhal ghar mein hi jyaada se jyaada time spend karti hai.

Aarav Kapoor- Yeh apne hero ka chota bhai hai. Hero ko apna role model maanta hai. Usi ki tarah banna chahta hai. College complete hochuka hai. Apne dad ki company hi join ki hai but hero abhi isko kaam karne nhi deta. Kehta hai aage chalke sab tumhe hi dekhna hai par abhi life ko enjoy karo. Par yeh bhi kabhi kabhi office jaata hai.

Raj Kapoor(Hero)- Yeh hai apni kahani ka hero. Ghar mein sabka laadla. Ghar ke har member ko ispe naaz hai. Jyaada bolta nhi hai. Bas kaam se hi kaam rakhta hai. Apni mummy se thoda naraz hai isiliye unse filhal baat nhi karta. Reason aage pata chalega. Apne dad aur bade papa ki company sambhalta hai. Ashok aur Vijay ne bhi company ki jimmedaari isko hi de rakhi hai. Isiliye woh bhi jyaada tar ghar mein rehte hai.

Yash Roy- Yeh Raj ka best friend cum bhai hai. Raj ke saath uski company mein hi kaam karta hai. Yeh Raj ko apna saga bhai hi maanta hai. Iske liye kuch bhi karde. Raj and family ke mumbai shift hone ke baad se yeh saath hai. Saath school saath college aur ab saath mein career. Iske bade bhai ke saath hi Shruti ki shaadi horahi hai.

Ishant Roy- Yash ka bada bhai aur Shruti ka hone wala pati. Yeh aur Shruti mumbai mein shift hone ke baad se saath hai par pyaar college mein jaakar hua. Kuch saal pehle inke parents chardhaam ki yatra pe gaye the jaha ek accident mein inki death hogyi. Tabse apne papa ka business yehi sambhalta hai. Yash chahta toh apna family business join kar sakta tha. Par isne Raj ka saath chuna.

Ishita Roy- Ishant aur Yash ki choti behen. Yeh apne bade bhai ki madad karti hai business mein. Padhai khatam hochuki hai. Bahot jyaada chulbuli hai. Par bahot pyaari hai. Yash se jyaada yeh Raj ko maanti hai. Par isse Yash ko koi shikayat nhi hai.

Mumbai sehar. Desh ki mayanagri. Bahot se log alag alag sapne lekar iss sehar mein aate hai. Kuch ke sapne pure hote hai toh kuch ke adhoore reh jaate hai. Aur aise hi ek sapna leke 2 bhai iss sehar mein aaye the aur unhone ek company start ki jo aaj Kapoor Group of Companies mumbai sehar ki jaani maani company ban chuki hai.

Bahot saari companies iss company ke saath tie up karna chahti hai. Iss company ki suruaat ki thi Ashok aur uske bhai Vijay ne milke. Dono ki mehnat ke bal pe aaj yeh company iss mukaam mein hai. Yeh kehna galat nhi hoga iss company ko iss mukaam mein laane ka jyaade se jyaada credit Ashok ke bhai Vijay ko jaata hai par kuch saal baad iss company ko aur aage badhaya Raj ne. Ashok aur Vijay ne bas uske decision ko support kiya aur uska backbone bane.
 
Newbie
27
6
3
Update 1
Thand ke mausam tha. Par iss waqt bhi jorr se baarish horahi thi. Kapoor Group Of Companies mein ek cabin ke window mein ek ladka khada hoke baarish ki boondo ko mehsoos kar raha tha. Jaise woh isme sama jaana chahta ho. Woh apni aankhe band karke iss pal ko apni rooh mein utar raha tha. Par iss waqt uski band aankho se bhi aansu beh rahe the.

Tabhi uss cabin ke door se koi andar aata hai aur pure cabin mein nazar ghumata hai toh window ke paas kisiko khada paata hai. Toh woh bhi window ke paas chala jaata hai.

Ladka1: Aaj kitni joro ki baarish horahi hai naa. Aur mausam bhi kitna suhana hai. Aur aise mausam mein kaun kaam karega.

Iss ladke ki baat sunke dusra ladka kuch nhi bolta woh waise hi aankhe band ke khada tha.

Ladka1 dekhta hai dusre ladke ki aankh mein aansu hai toh woh samaj jaata hai woh dukhi hai aur uske dukh ka reason kya hai.

Ladka1: Tu phir se roh raha hai. Tujhe kitni baar kaha hai mat roya kar.

Ladka2: Tujhe yaad hai jab jab baarish hoti thi woh kaise khushi se naach uthti thi. Jaise yeh baarish uske liye hi hoti thi.

Ladka1: Haa pata hai. Baarish mein bhigna usko bahot pasand tha.

Ladka2: Par aaj baarish toh hai par woh nhi hai. Yeh bolte hue uss ladke ki aankho se aur jyaada aansu beh jaate hai.

Ladka1: Mat ro yaar. Mat ro. Tu usme kuch nhi karsakta tha. Aur tujhe yaad hai naa usne aakhri baar kya kaha tha.

Ladka2 jab yeh baat sunta hai toh usko kuch yaad aata hai aur woh apne aansu poch leta hai aur aankhe kholta hai.

Ladka2: Mujhe yaad hai. Uski kahi har ek baat mujhe yaad hai. Aur jisne kahi thi woh bhi yaad hai.

Ladka1: Toh tu kyo ro raha hai. Tujhe aise rote dekh kar usko bhi takleef horahi hogi. Kya tu usse takleef dega.

Ladka2: Main kaise usse takleef de sakta hu. Usko takleef dene ke baare mein toh main sapne mein bhi nhi soch sakta. Par woh mujhe jo aise akela chorr ke chali gayi. Chorr gayi mujhe akele jeene ke liye.

Ladka1: Kya tu rokk sakta tha woh. Nhi naa. Tu nhi rokk sakta tha woh.

Ladka2 kuch nhi bolta bas phir se aankhe band karke kisiko yaad karne lagta hai.

Ladka1: Bhul jaa usse aur apni life mein ab aage badh. Aur usne bhi toh yehi kaha tha naa tujhse.

Ladka2: Main chahke ke usee nhi bhula sakta Yash. Nhi bhula sakta.

Yeh dono ladke Yash aur Raj hi hai.

Yash: Rajjj. Kab tak aakhir kab takk tu aise rahega. Uske jaane ke baad toh jaise teri zindagi thamm si gayi hai. Tu zinda toh hai tujh mein jaise jaan hi nhi bachi hai.

Raj: Main zinda hu toh sirf uske kehne ki wajah se. Usne jaate jaate meri zindagi apni jaan bhi legayi hai.

Yash: Aakhir kab tak aisa chalega Raj 3 saal se dekh raha hu. Tu sirf apni family ke liye jee raha hai. Tu woh Raj nhi hai jo college mein hua tha.

Raj: Woh Raj ussi din margaya tha jisdin woh gayi thi.

Yeh bol Raj aake apne desk mein baith jaata hai aur kaam karne lagta hai.

Yash iske aage kuch nhi bol saka woh bas Raj ko dekhta hi raha.

Yash(Mann mein): Heyy bhagwaan. Please Raj ko pehle jaisa kardo nhi dekhi jaati uski aisi halat. Uske baad toh isne jeena hi chorr diya hai. Pleaseee isko wapas jeena sikha do.

Raj: Ab waha pe khada rehna hai yaa kaam bhi karna hai.
Yash kuch nhi bolta jaake uske saamne baith jaata hai aur kaam karne lagta hai.

Rajasthan Raja Maharajao ka sthan. Iss rajya mein bahot se Raja Maharajao ne raaj kiya hai. Aur isi rajya ka ek khubsoorat sehar Jaipur jise Pink City bhi kaha jaata hai. Kaha jaata hai ke 1876 mein Rajasthan ke Maharaja Maharaj Sawai Ram Singh ne Queen Victoria ke husband Prince Albert jab India tour mein aaye the tab unko khush karne ke liye pure Jaipur ko pink colour se rangwaya tha isiliye Jaipur ko Pink City kaha jaata hai.

Toh issi khubsoorat sehar ke ek ghar mein ek ladki jo dikhne mein 22 se 23 saal ki hogi woh apne dressing table ke saamne baithke taiyaar horahi thi. Uske masoom aur khubsoorat se chehre pe ek darr tha. Aur isi darr ke wajah se woh kuch soche jaa rahi thi. Tabhi uske room mein ek ladki enter karti hai.

Ladki1: Tu abhi tak ready nhi hui. Kitna time lagayegi.

Ladk2 kuch nhi bolti bas soche jaarahi thi.

Ladki1: Kitna sochegi. Itna mat soch. Sab achha hi hoga. Aur itna tension lene se kya jo tere kismat mein hai woh badal jayega nhi naa.

Ladki2: Agar kuch garbar hogyi toh.

Ladki1: Kuch nhi hoga. Mujhe pata hai meri behen bahot hoshiyaar hai. Chal ab jaldi se neeche aa aur breakfast karle.

Ladki2: Chaliye.

Phir dono ladkiyan neeche aati hai. Jaha pehle se hi unke parents baithe the.

Aurat: Kitna time lagati ho tumdono. Pura breakfast thanda hogya.

Ladki1: Mujhe nhi isse boliye. Kitna tension kar rahi thi. Isse samjhane mein late hogya.

Aurat: Ab tension karke kya hoga. Jo hoga woh dekha jayega. Tumne jitni mehnat ki hai tumhe uske hisaab se fal milega. Isiliye ab tension choro aur baitho.

Dono ladkiyan jaake baith jaati hai.

Aadmi: Humhe 1 hafte baad Mumbai jaana hai.

Ladki1: Kisliye Papa.

Aadmi: Shruti ki engagement hai. Toh humhe jaana hoga.

Ladki2: Whattttt. Shruti Di ki engagement fix hogyi.

Aurat: Haaa. Ab ghar mein sabse badi hai woh aur ek na ek din toh yeh karna hi tha unhe. Ladka bhi jaan pehchan ka hai. Smita keh rahi thi unke mumbai mein shift hone ke baad woh unke padoshi the.

Ladki1: Yaani Arrange Marriage horahi hai Shruti di ki.

Aurat: Nhiii. Dono padoshi the. Saath school kiya aur saath college gaye jaha unhe pyaar hua aur ab shaadi.

Ladki2: How Sweet. Waise kaise hai wohlog.

Aurat: Sab thik hai woh log. Bachho ke college khatam hogye hai. Aarav ne abhi kaam karna start nhi kiya hai. Raj hi sab dekhta hai.

Ladki2: Rajjjjj. Hmm. Bahot saal hogye unse milee hue. Ab toh bahot badal gaye honge woh.

Aadmi: Achha chalo ab jaldi se breakfast karo. Swati tum office aarahi ho.

Swati: Yes Papa.

Aadmi: Meera yeh Samar kaha hai. Abhi tak so raha hai kyaa.

Tabhi ek awaaz aati hai.

No Papa. I am here. Sab uss awaaz ka pichha karte hai toh dekhte hai Samar khada hai ready hoke.

Meera: Badi jaldi aagaya. Aaj tumhara bhi result hai naa. But tumhe dekh kar toh lag raha hai jaise tumhe koi tension hi nhi hai.

Samar: Ab main Sonal di ki tarah tension mein nhi jeeta. Jo hoga dekh jayega. Waise bhi mere paas 1 saal aur bacha hai. Par Sonal di ka toh yeh final hai.

Meera: Yeh bhi thik hai. Chalo aao nashta karlo.

Phir sab nashta karne lagte hai. Thodi der baad sabka nashta khatam hojaata hai. Swati apne papa Deepak ke saath office chale jaati hai.

Samar: Sonal Di chaliye aap mere saath chaliye.

Sonal: Nhi Samar tum jao. Waise bhi aaj Tuesday hai mujhe mandir jaana hai.

Samar: Okkk.

Phir Samar aur Sonal bhi alag alag nikal jaate hai.

Deepak Singh- Yeh Jaipur ke ek jaane maane businessman hai. Yeh aur Ashok bahot achhe dost hai. Ashok mumbai shift hogya. Par yeh yahi rehgaye aur yehi pe apna business settle kiya.

Meera Singh: Yeh ek housewife hai. Inko ghar ke kaam mein hi jyaada mann lagta hai. Apni bachho se bahot pyaar karti hai. Samar sabse chota hai aur inka laadla hai.

Inki 2 betiyan aur 1 beta hai.

Swati Singh- Inki badi beti. Padhai complete hochuki hai aur apna family business hi join kiya hai. Apni behen Sonal se bahot jyaada attach hai.

Samar Singh: Inki sabse chota beta. Ghar mein sabse chota hai isiliye sabka laadla hai. Bahot jyaada badmaash hai. Humesha masti mazaak karne ki aadat hai. Par dil ka bahot achha hai. Apni didi Sonal ko bahot maanta hai.

Sonal Singh(Heroine)- Yeh hai iss kahani ki heroine. Inki dusri beti. College se aaj graduate hongi. Apni behen se jyaada khubsoorat aur masoom hai. Jyaadatar apne padhai se matlab rakhti hai. Interior Designer banne ka shock hai aur usi ki padhai ki hai.
 
Newbie
27
6
3
Update 2
Toh yaha Sonal ghar se mandir aati hai. Yaha woh har Tuesday aati hai.

Sonal: Bhagwaan ji. Aaj mera result hai. Maine pure saal bahot mehnat ki hai aur aaj mujhe uss mehnat ka fal milega. Please dekh lena bhagwaan ji.

Pandit: Chinta mat karo Sonal. Tum achhe number se pass hojaogi.

Sonal: Thank You Pandit ji.

Phir Sonal Pandit aashirwaad aur prasad leke college ke liye nikal jaati hai.

Thodi der baad woh college aati hai toh waha Samar pehle se hi khada tha.

Sonal: Kya hua yaha aise kyo khada hai. Result out nhi hua kyaa.

Samar: Result out toh kabka hochuka hai.

Sonal: Hogyaaaaa.

Samar: Haaa.

Sonal: Tera kyaa aaya.

Samar: Mujhe toh distinction ke upar mila hai.

Sonal: Samar ke gale lagte hue. Congrats bhai. Mujhe pata tha tujhe achhe numbers aayenge.

Samar: Thank You Di.

Sonal: Meraa dekhaa.

Samar: Haaa dekha.

Sonal: Kitna aaya.

Samar apna sir jhuka leta hai. Jisse dekh Sonal ko tension hojaati hai.

Sonal: Bata naa. Kitna mila hai. Aur aise sir kyo jhuka liya.

Samar: Wohh dii. Actuallyy aap. Wohhh.

Sonal: Bol naa bhai kyoo mujhee tension de raha hai.
Samar: Wohh di actually aap Failll hogyi hai. Aapko 35% mila hai.

Sonal ke liye yeh news kisi jhatke se kamm nhi thaaa. Uske aankho se aansu nikal gayee thee.

Sonal: Rote hue. Kyaaaaaaaaa. Nhii yehhh sachh nhiii haiii tu tuu mazaak kar raha haii naa.

Samar: I Am Sorry di. Par yeh sach hai.

Sonal toh jaise wahi jamm gayi thi. Usko yakeen hi nhi horaha tha ke woh faill hogyi hai. Woh bhi itni buri tarah se. Woh waha bench pe baith ke rone lagti hai.
Sonal ko aisee rote dekh Samar sochta hai.

Samar(Mann mein): Betaa Samar lagtaa hai tera mazaak jyaada hogyaa.

Samar: Diii. Yeh aap kyaa kar rahii haiii.

Sonal: Toh aur kyaa karuu Samar. Meri itni mehnat ke baad mein main faill hogyi aur woh bhi itni buri tarah. Ab main papa aur mummy ko kaisee facee karungi.

Samar: Areee diii. Aap chupp hojaiyeee. Pleaseee roiyee mattt. Aurrr aisaaa kuchh nhii huaa hai.
Sonal: Matlabbbbb.

Samar: Wohh wohh diii actuallyyy mainn mazaakk kar raha thaa. Aapne pure college meinn topp kiyaa hai.

Sonal: Kyaaaaaaaaaaa. Kyaaaa kahaa tuneee. Phirrr see bolll.

Samar: Aapne puree college mein topp kiya hai. Aur woh faill wali baat mazaak thii. Yeh bol Samar waha se bhagg jaata hai.

Sonal: Samarrrrr. Aaj tujheee mainn nhiii chorungiiii. Yeh bol Sonal bhi uskee pichhe pichhe bhagnee lagti hai.

Samar: Sorry Sorry diii. Galtii hogyiii. Aage se aisaa nhii karungaaa. Sorryyy.

Sonal: Sorryy ke bachhe rukhhh tuuu. Idherrr aaa. Aaj tujhee chorungii nhiii. Teriii wajahh seee merii kyaa halatt hogyii thiii. Tujhee pata haiii. Mainn kehtiii huuu rukhhh.
Thodi der bhagne ke baad Sonal ne Samar ko pakad liyaa.
Sonal: Abb kaha bhagegaaa.

Samar: Sorry Sorry diii. Mujheee nhii pata thaa aapko mere mazaak se itnaa shockk lagegaa.

Sonal: Shockkk. Meri kyaa halat hui thi yeh tujhe pata nhi hai. Mera pata nhi kya kya karne ko dill kar raha tha.

Samar: Sorry Diii. Buttt I am so happy for youu. Congratss diii. Yeh bol uske gale lag jaata hai.

Sonal: Thankk youuu. Mujhe toh abb bhi yakeen nhi horaha ke maine pure college mein top kiya hai.

Samar: Yeh sach hai didi. Chaliye jaldi se jaake marksheet aur certificate lete hai. Aapka toh principal ke paas se hi milega.

Sonal: Haa Chall.

Phir yeh dono principal ke paas aate hai.

Sonal: Main I come in Ma’am.

Principal: Yess yess Sonal come in.

Sonal: Ma’am woh mera marksheet and Certificate.

Principal: First of all congratulations Sonal. Tumne puri college mein top kiya hai. Aisii hi apna aur apne parents ka nam roshan karti raho.

Sonal: Thank you Ma’am. Mujhe toh ab bhi yakeen nhi horaha hai.

Principal: Yeh sab tumhare hardwork ka fal hai. Yeh raha tumhara Marksheet Certificate aur yeh tumhare liye ek gift. .

Sonal: Gift.

Principal: Haaa gift. Tumne puri college mein top kiya hai isiliye tumhe India mein no. 1 interior designing college mein aage padhne ke liye scholorship mili hai. Jo mumbai mein hai.

Sonal yeh sunn ke bahot khush hojaati hai.

Sonal: Sachhh.

Principal: Yess Sonal. Aur yeh tumhara scholorship. Tumhe 1 hafte baad jab marzi join karna hai par 2 weeks ke andar. Once again congrats.

Sonal: Thank you so much Ma’am.

Phir Sonal apna Marksheet Certificate aur scholorship leke bahar aajati hai yaha Samar uska wait kar raha thi.
Sonal bahar aake Samar ke gale lag jaati hai.

Samar: Kya hua di.

Sonal: Mujhe college mein top karne ke liye India ke no. 1 interior designing college mein aage padhne ke scholorship mili hai.

Samar: Kyaaaaaa. Congratssss diiii. I am so happy for youuu.

Sonal: Thank Youuuu. Par woh mumbai mein hai. Shayad mummy papa nhi maanenge.

Samar: Aree main aur didi hai hum mananyenge. Aap chinta naa karee. Ab jaldi chaliye chalke mummy papa di ko yeh news dete hai.

Sonal: Haaa challl.

Abhi yehlog jaa hi rahe the ke tabhi ek ladka waha aata hai.

Ladka: Kyaaa baat hai bhaiii. Ab topper bangayi toh dosto se milne ka bhi time nhi hai. Achha hai.

Sonal: Areeee aisaa kuchhh nhii hai. Waise tumhara kyaa huaa.

Ladka: Hona kya hai. Hum toh ab tumhari tarah topper toh nhi hai. Humhe bas passing marks mil jaaye woh hi bahot hai. Jo mil gaya hai.

Sonal: Congratsss Vicky.

Vicky: Congratulations to you too. Aakhir tumne pure college mein top kiya hai. Yeh bol Sonal ko gale milne aata hai toh Samar beech mein aajata hai.

Samar: Vicky Bhaiya. Hum bhi yaha hai. Humne bhi distinction ke upar laaya hai. Humhe congratulate nhi karenge.

Samar ke aise beech mein aane se Vicky ka muhh utar jaata hai par woh dikhata nhi.

Vicky: Areee aisi baat nhi hai. Tumhe bhi congrats Samar.

Sonal: Achha Vicky. Abhi hum chalte hai. Mummy humara wait kar rahi hongi. Tum ghar aana waha baith ke baat karenge. Chall Samar.

Phir Samar aur Sonal waha se nikal jaate hai aur Vicky unhe jaata hua dekhta rehta hai.

Vicky: Pata nhi aur kitna wait karna hoga iske liye. Yeh bol Vicky bhi apna utra hua muh leke waha se nikal jaata hai.

Vicky Khanna- Sonal ka school and college friend. Sonal ko school time se pyaar karta hai par aaj tak bol nhi paaya. Bigada hua ladka hai. Mann mein kuch chal raha hoga par chehre mein kuch dikhega. Sonal isko koi bhav nhi deti. Bas dost hi maanti hai. Bahot baar yeh Sonal ko touch karne ki koshish karta hai par harbaar muh ki khaata hai.
Idher Samar aur Sonal ghar ki taraf jaate waqt.

Sonal: Thank You Samar.

Samar: Kisliyee di.

Sonal: Woh uss waqt Vicky ke saamne achanak se aane ke liye.

Samar: Come on di. Bhai hu aapka. Bhai ka farz hota hai behen ki raksha karna. Isme kaise Thank You. Par woh aapko pasand karta hai. School se jaante hai hum.

Sonal: Par mujhe woh pasand nhi. Har waqt mujhe chune ki firaak mein rehta hai. Usko pyaar nhi kuch aur bolte hai.

Samar: Toh aapko kaisa ladka pasand hai.

Sonal: Jo mere jism se nhi mere dil se pyaar kare. Jo mujhse mere pyaar se loyal ho. Bado ko respect kare. Choto se pyaar kare. Mujhe respect kare. Mere pyaar ko respect kare. Aur sabse important mujhe itna pyaar kare ke puri zindagi kam padh jaaye.

Samar: How Romantic Di. Toh aapki nazar mein aisa kaun hai jo mera jiju ban sake.

Sonal: Abhi tak toh aisa koi dikha nhi. Par itna pata hai jo bhi hoga bahot khash hogaa. Chal ab baate band kar aur ghar chal.

Phir yeh dono waha se ghar aajaate hai.
 
Newbie
27
6
3
Update 3
Idher Mumbai mein Raj apne kaam mein itna busy hogya tha ke usko dhyaan hi nhi raha ke office hours khatam hogye hai. Aur uske chakar mein Yash ki bhi baithna padha tha.

Yash: Areee O Workaholic Mr. Raj Kapoor. Aur kitna kaam karega. Chalnaaa. Dekh kitna time hogya hai. Bhukk lag rahi hai.

Raj: Bas hogaya hai.

Yash: Kitna bola tha bhaiya ne mat jaa Raj ke saath par main bewakoof hi nhi maana aur fhass gaya tere saath.

Raj: Chal chal nautanki mat kar. Chal ghar chal.

Yash: Dhanya ho prabhu. Aakhir iska kaam khatam hua.
Phir yeh dono ghar ke liye nikal jaate hai.

Yash apne ghar ki taraf nikal jaata hai aur Raj apne ghar ki taraf.

Raj jab ghar aata hai toh sab sochuke the bas uski maa hi jaag rahi thi aur Raj ka wait kar rahi thi.

Smita: Aaj itna late kardiya Raj. Jao jaldi jao fresh hojao phir dinner karlo.

Raj: Maine dinner karliya hai. Yeh bol woh apne room mein jaane lagta hai.

Smita: Kya apni mummy ko kabhi maaf nhi karega Raj.
Raj bina kuch bole apne room mein chala jaata hai aur pichhe Smita apne aankho mein aansu liye khadi rahi.

Tabhi waha ghar mein kaam karne wala aadmi aata hai.
Aadmi: Malkin khaana lag du. Aapne dopahar se kuch nhi khaya hai.

Smita: Mujhe bhuk nhi hai. Yeh bol rote hue apne room mein aajati hai.

Smita jab apne room mein aati hai toh dekhti hai Ashok jaga hua hai.

Ashok: Aagaya Raj.

Smita: Jiii.

Ashok: Kyaa baat hai.

Smita: Rote hue. Kya main itni buri hu ke mera beta mere se baat tak nhi karta. Kya woh mujhe kabhi maaf nhi karegaa.

Ashok: Usse thoda time do Smita. Woh jarur tumhe maaf karegaa. Usko uss baat se bahot takleef hui thi.

Smita: Mujhse nhi raha jaata. Woh sabse baat karta hai sabko pyaar jatata hai. Bas mujhse hi.... Yeh bol woh rone lagti hai.

Ashok: Sab thik hojayegaa Smitaa. Bhagwaan sab thik karengeee. Woh ekdin tumse jarur baat karega woh tumhe jarur apna pyaar jatayega. Jaise bachpan mein jatata thaa.

Smita kuch nhi bolti aur so jaati hai.

Idher Samar aur Sonal jab ghar wapas aaye toh woh bahot khush the.

Meera: Kyaaa baat hai. Jab yaha se gayi thi toh shakal pe 12 baje hue the. Aur ab dekho. Aisaa kyaa hogyaa.
Sonal apni maa ke gale lag jaati hai.

Sonal: Mummy Mummy Mummy aaj mein bahott khush hu. Bahot bahot khush.

Meera: Areee aree aisaa kyaa hogyaa.

Samar: Mummy Di ne puri college mein top kiya hai.

Meera: Sachhhhhhhhh.

Sonal: Haaa Mummy. Mainee puri college mein top kiya hai.

Meera: Sonal ke gale lagte hue. Maine kaha thaa naa sab achha hogaa. I am proud of you betaa. Congrats.

Sonal: Thank You Mummy.

Meera: Tumhara kyaa huaa.

Samar: Mummy maine distinction ke upar number laaya hai.

Meera: Congrats betaaa. Main bahot khush hu tumdono ke liyee. Tum dono fresh hojao. Main tumdono ka favourite khana banati hu.

Dono waha se apne room mein chale jaati hai.

Raat ko jab Deepak aur Swati aate hai toh unko bhi yeh khushkhabri sunayi jaati hai toh woh bhi bahot khush hote hai.

Sonal: Mummy Papa aaplogo se ek baat karni hai.

Deepak: Bolo.

Sonal: Woh actually college mein top karne ke liye mujhe India ke no. 1 interior designing college mein aage padhne ke liye scholorship mili hai.

Ashok: Areee waaahh yeh toh bahottt achhi baat hai.

Meera: Haaaa. Sahi kaha aapne.

Sonal: Par woh mumbai mein hai.

Ashok aur Meera: Kyaaaa mumbai. Itni durrr.

Sonal: Haaa.

Meera: Tum yehi koi college dekhlo. Yaha bhi achhe colleges hai.

Swati: Mummy Papa Sonal ko aisa mauka baar baar nhi milega. Isse jaane dijiye. Isse Sonal ko bahot kuch sikhne ko milega. Maine sunna hai uss college se pass out har student ne apni ek alag pehchan banayi hai. Sonal kitne waqt ke kiye jaana hai.

Sonal: 2 saal.

Meera: Kyaaa 2 saal ke liye. Nhi nhi. 2 saal ke liye tum dusre sehar mein akeli rahogi. Bilkul bhi nhi.

Sonal: Mummy Papa pleaseee maan jaiye. Mera bahot mann hai. Papa pleaseeee.

Meera: Par Sonal tumhe pure 2 saal ke liye Mumbai mein rehna hoga. Kaha rahogi kaise rahogi.

Sonal: Main Hostel ya PG mein rehlungi. Par please maan jaiyee.

Meera: Hostel mein toh kabhi nhii. Mujhe pata hai akeli ladki ke saath hostel mein kya kya hota hai. Aur PG bhi pata nhi kaisa milega.

Sonal: Papa.

Deepak: Main Ashok se baat karta hu uske dhyaan mein jarur kuch hoga.

Meera: Haa aap unse baat kijiye.

Sonal: Thank You Mummy Papa.

Meera: Abhi tak haa nhi ki hai. Agar mujhe sab thikk laga toh hi tum jaogi.

Deepak: Kal subah karta hu baat. Chalo ab sab sone jao.
Phir sab sone chale jaate hai.

Idher Raj apne room mein aata aur wapas window ke paas khada hojata hai uske aankho mein aansu the aur aankh band karke kuch soch raha hota hai. Phir apni aankhe kholta hai aur aasman mein chand ko dekh kar bolta hai.

Raj: Dekh rahi ho naa kitna akela hogya hu. Kehne ko toh sabkoi hai mere paas. Dadi Badi Mummy bade papa didi bhai papa aur shayad mummy bhi. Par phir bhi akela hogya hu.

Tabhi uske kandhe mein koi haath rakhta hai. Woh pichhe ghum ke dekhta hai toh waha uski bhabhi Nandini khadi thi.

Raj apne aansu pochta hai aur bolta hai.

Raj: Bhabhi aap. Abhi tak soyi nhi aap.

Nandini: Mera bhai aur dost dukhi hai aur main so jau. Phir uski yaad aarahi hai naa.

Raj kuch nhi bolta bas apna chehra dusri taraf karleta hai.

Nandini: 3 saal hogye hai Raj. Kab tak aise hi rahoge.

Raj: Main kya karu bhabhi. Mujhse nhi raha jaata.

Nandini: Kya woh tumhe iss haal mein dekh kar khush hogi.

Raj apni gardan naa mein hilata hai.

Nandini: Tum chahte ho naa woh khush rahe.

Raj nods in yes.

Nandini: Toh kyaa tumhare aisa karne se woh khush rahegi. Kabhi nhi Raj. Kabhi nhi. Woh tabhi khush rahegi jab tum khush rahoge. Kya tum chahte ho woh dukhi rahe.

Raj: Yeh toh main kabhi nhi chahunga bhabhi ke woh dukhi rahe.

Nandini: Toh uski khushi ke liye hi sahi tum aisa mat karo Raj. Tumhe aise dekh kar humhe bahot takleef hoti hai.

Raj kuch nhi bolta bas sunta raha.

Nandini: Raj kya mujhe mera woh dost kabhi nhi milega jo college mein tha. Kya tumhari bhabhi kabhi apne uss dost ko nhi dekh payegi jisne uski zindagi khushiyon se bhari.

Raj: Main koshish karunga bhabhi.

Nandini: Mujhe mere dost cum bhai ka intezaar rahega Raj. Chalo ab so jao. Good night.

Raj: Good night bhabhi.

Phir Nandini apne room mein chali jaati aur Raj bhi fresh hoke so jaata hai.

Karan: Aagaya Raj.

Nandini: Haa aagaya. Takleef mein hai. Uski yaad aarahi thi.

Karan: Raj kabhi usse bhul nhi payega. Raj kya hum bhi usse kabhi nhi bhul payenge. Hum jo aaj saath hai woh sirf aur sirf unndono ki wajah se hai.

Nandini: Haaa. Dekhiye naa humhe milane wale khud kabhi naa mil paaye. Mujhse Raj ki yeh halat nhi dekhi jaati Karan.

Karan: Dekhi toh mujhse bhi nhi jaati Nandini. Par Raj ka yeh dukh hum kam ya durr nhi kar sakte.

Nandini: Hmmm. Chaliye so jaaiye. Subah aapko duty pe bhi jaana hai.

Agli Subah Smita sabhi bachho ke kamre mein jaake sabko uthati hai par jab woh Raj ke kamre mein jaati hai toh dekhti woh bekhabar soraha hai. Woh bas uske chehre ko dekhti rehti hai.

Smita Raj ko sote dekh uske paas jaake uske sir ko sehlaati hai uske aankhe num hojaati hai.

Smita: Kya tu kabhi bhi apni maa ko maaf nhi karega Raj. Taras gayi hu tere muh se Mummy sunne ke liye. Uss ek galti ki itni badi saza mat de apni maa ko Raj. Main maanti hu mujhse galti hui hai Raj. Uss waqt mujhe jo dikha uspe hi bharosa kiya teri baat tak nhi sunni thi maine aur tujhe bina wajah maara bhi tha. Par please mujhe maaf karde Raj maaf kardee. Yeh bolte uske aankho se aansu beh gayee.

Tabhi koi Raj ke kamre mein aata hai.

Sab thik hojayega Smita. Raj jarur tumhe maaf karega.

Smita: Mujhse iski berukhi sehan nhi hoti hai didi. Pata nhi uss waqt kyo maine apne bete pe bharosa nhi kiya. Isne mujhse kaha tha woh jhoot hai par maine ispe bharosa naa karke unpe kiya.

Ragini: Mat ro Smita. Mat ro. Sab thik hojayega. Dekhna ekdin Raj phir se tumse pehle jaise behave karega.

Smita kuch nhi bolti. Tabhi woh dekhti hai Raj ki neend toot rahi hai.

Raj aankhe kholta hai saamne apni dono maa ko khada pata hai woh bed se utarta hai.

Raj: Good Morning Badi Mummy.

Ragini: Good Morning Raj.

Smita: Good Morning Raj.

Raj: Badi Mummy aap mera breakfast ready kardijiye. Mujhe aaj jaldi office jaana hai. Yeh bol woh washroom chala jaata hai.

Smita waha khadi rehke rone lagti hai.

Smita: Dekha na didi aapne kaise woh ab mujhe ignore karta hai.

Ragini kya bole usko samaj nhi aata woh bas Smita ko gale laga leti hai.

Ragini: Raj ko bahot takleef hui thi Smita. Uski yeh takleef dheere dheere durr hogi Smita. Tumhe koshish karte rehni hogi. Chalo ab neeche chalo. Breakfast ready karte hai.

Smita: Raj ka breakfast aap hi banana didi. Agar maine banaya toh shayad woh nhi khayega. Usne kal raat ko bhi kuch nhi khaya tha.

Ragini: Iska matlab tumne bhi kuch nhi khaya kal.

Smita: Mera beta bhuka rahe aur main khaa lu yeh nhi hosakta didi.

Ragini: Thikk hai chalo.

Phir dono neeche aake breakfast banate hai.
 
758
826
93
Are yaar kaleje ko kitni thandak mili thi... ki sonal fail ho gayi hai..
damn it.... Ye chuhiya pass ho gayi.. upor top bhi kiya :banghead:
Shahilara Zara phir se results check kariyo to... koi gadbar to nahi :D


Vicky shayad sonal se pyar karta hai... I think.. Wo sonal se dil se nahi balki uske jishm ko chahta hai.. par usko mauka nahi mil raha hai,
Chuhiya is Vicky se door rahe to hi behtar hai uske liye..

Well aage ki kahani.. Sonal Mumbai Yaani ke Raj ke ghar rehkar study continue karegi... ishi bis sonal aur raj ke bich najdikiyan badhegi :D pyar ishq aur mohabbat :D

Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi..
 
Newbie
27
6
3
Are yaar kaleje ko kitni thandak mili thi... ki sonal fail ho gayi hai..
damn it.... Ye chuhiya pass ho gayi.. upor top bhi kiya :banghead:
Shahilara Zara phir se results check kariyo to... koi gadbar to nahi :D


Vicky shayad sonal se pyar karta hai... I think.. Wo sonal se dil se nahi balki uske jishm ko chahta hai.. par usko mauka nahi mil raha hai,
Chuhiya is Vicky se door rahe to hi behtar hai uske liye..

Well aage ki kahani.. Sonal Mumbai Yaani ke Raj ke ghar rehkar study continue karegi... ishi bis sonal aur raj ke bich najdikiyan badhegi :D pyar ishq aur mohabbat :D

Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi..
Thx Shubham Bhai
 

Top