Fantasy CHAMATKAR (Completed)

Opinion Of The Story...

  • Good

    Votes: 33 100.0%
  • Bad

    Votes: 0 0.0%

  • Total voters
    33
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*1

Nagpur ke pass Umred Taluka me bye pass ke najdeek makan number 4 me rahne vale Mr. aur Mrs. Rajvansh garv se kahte the ' hum to samanya log hain..

Koi soch bhi nahi sakta tha ki yah log kisi rahasyamayi ya ajeeb cheez me ulajh sakte the.....kyon ki ve in betuki bato se dur rahte the.....

Mr. Anand Rajvansh Aditya Industries naam ki company ke director the.....jo drill banati thi..

Anand Rajvansh mote tagde admi the aur unki gardan to jaise thi hi nahi, halanki unki muchhe bahut badi thi....

Urmila Rajvansh behad khubsurat, padhi likhi house wife thi...unki gardan samanya se duguni lambi thi...ye gardan unke bahut kaam aati thi....

kyon ki vo bagiche ki munder ke paar taak jhaank karne me aur padosiyo ki jasusi karne me apna bahut sa samay bitati thi....

Unka ek chhota sa beta bhi tha .... jiska naam Aditya Rajvansh tha...

Anand aur Urmila ka maanna tha ki duniya me aditya se sundar bachcha ho hi nahi sakta.....

Unke pass sab kuch tha, jo bhi vo chahte the......

Par unki jindagi me ek rahasya bhi tha aur unhe sabse jyada darr issi baat se lagta tha ki kahi vo rahasya kisi ko pata na chal jaye....

vo ye soch bhi nahi sakte the ki agar kisi ko Rajvansh pariwar ke bare me pata chal gaya, to unka kya hoga...?

Megha, Urmila ki bahan thi lekin kayi saalo se dono ek dusre se nahi mili thi

Sach to ye tha ki urmila sabko yahi batati thi ki unki koi bahan hi nahi thi...

Kyon ki uski bahan aur uska nikamma pati un logo se utne hi alag the..jitna hona sambhav tha...

Ye soch kar hi anand aur urmila ke hosh ud jate the ki agar megha aur uska pati unki gali me aa gaye to unke padosi kya kahenge....

Vo jante the ki unka ek chhota sa beta bhi tha par unhone use kabhi nahi dekha tha

Yeh Bachcha bhi ek bada kaaran tha, jis vajah se vo megha ke pariwar se door rahte the....vo nahi chahte the ki aditya is tarah ke bachche se mile jule....

Jab anand aur urmila us bojhil mangalwar ko subah so kar uthe, jahan se hamari kahani shuru hoti hai...

Us din baadlo se bhare aasmaan ko dekh kar koi bhi ye nahi soch sakta tha ki poore desh me ajibo garib aur rahasyamayi ghatnaye jaldi hi hone wali hain........
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
Update*2

Anand subah apne office jane ke liye ready hone lage ...Urmila apna gharelu kaam karte huye idhar udhar shararat kar rahe Aditya ko bhi beech beech me khilati ja rahi thi.......

Unme se kisi ko yeh nahi dikha ki ek bada sa bhura ullu unki khidki ke pass se pankh phadphadate huye gujar gaya....

Kuch der baad hi anand ne apna briefcase uthaya, urmila ke gaal sahlaye aur aditya ko chumne ki koshish ki lekin vo aisa nahi kar paye kyon ki vo us samay gusse me apna nasta chhote chhote hatho se deewar par phek raha tha to anand apne office ke liye nikal gaye.....

office ka din theek thak hi gujar raha tha. lunch ke liye anand ne bakery me jake kuch breads khaye....

vaha se vapis loutne time unhe kuch logo ki kana fusi karne ki awaze sunayi dene lagi...

unhone kuch der ruk kar vahi apne kaan unki baat sunne me laga diye....

vo log kisi Rishi ki baat kar rahe the.....Rishi ka naam sunkar anand kuch bechain se ho gaye....aur apne office ke cabin me aake baith gaye....

Unhe aaj se do saal pahle ki ghatna yaad aane lagi thi...

anand ki chinta ka kaaran vo baat karne wale nahi balki jiska naam lekar vo baat kar rahe the vo naam tha..

Rishi, Megha aur Ajit ka Beta tha...jo darasal aaj se do saal pahle kho gaya tha megha aur ajit ne bahut koshish ki usko dhudne ki lekin uska koi pata nahi chala

Vaise megha aur ajit ke rishi ke alawa bhi ek ladka sanjay aur ladki ka naam shree hai ...ye dono hi rishi se bade hain....

inhi yado me anand khoye huye the ki achanak unko aone bete aditya ka khyal aaya aur unhone turant ghar call laga diya

urmila--hello...ha..ji..aaj itna jaldi kaise yaad aa gayi...

anand--kyo mai din me call nahi kar sakta kya...

urmila--maine isliye puchha kyon ki aap din me busy rahte ho...kabhi call nahi karte bas

anand--kuch nahi aaj subah us shaitan aditya ki kiss nahi le paya na to uski yaad aa rahi thi...achchha kya kar raha hai mera beta...

urmila--aur kya karega...poora dinudham karta firta hai....aur mujhe pareshan karta hai...

anand--hahahaha...mere bete jaisa dusra koi nahi hai....

urmila--ha vo to hai...mera mann to usme hi laga rahta hai din bhar...

anand--chalo theek hai..mai jaldi aata hu.. aur phir sham ko ghumne chalte hain..

urmila--sach....

anand--much...ok bye

urmila--jaldi aana...bye

anand ke mann ko ab shanti mili ki aditya ghar me sahi salamat hai...

shaam ko vo jaldi ghar lout aaya..urmila to saj dhajkar pahle hi taiyar baithi thi..

anand ko dekhte hi uska chehra khil utha

urmila--aap aa gaye...laiye bag mai rakh deti hu...aap car bahar hi rahne do...

anand--bahar hi kyo rahne du..

urmila--ghumne jana hai na...to jaldi chaliye...mai adi ko lekar aati hu...

anand--arey bhagyawan...thodi der aram to kar lene do....kapde change kar lu..fresh ho jane do...ek cup chaay pila do..phir chalte hain...

urmila--nahi nahi kapde to theek hi pahne hain...chaay ham bahar hi pi lenge...aur fresh vapis loutne ke baad hona...ha

anand--ajeeb pagal biwi hai..yaar

urmila--kya kaha...

anand--nahi..nahi..tumhe kuch nahi kaha. chalo phir ...

dono aditya ko lekar car se ghumne nikal gaye....

urmila ne dher sari shoping kar dali.....

anand (mann me)--iske sath agar mahine me ek do baar aur shoping karne aa gaya to mujhe katora leke bhikh maangna padega...

kisi tarah urmila ki shoping hone ke baad vo ek park me kuch der jake baith gaye..

vo baithe hi the ki aditya shararat karte huye park me baithe ek shaks kigod me jake chad gaya...

uska shaks ka chehra dekh kar anand ke mathe par chinta ki lakire ubhar aayi...
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*3

Aditya ko us admi ki god me dekh kar anand chounk gaya…kyon ki vo shakhs aur koi nahi ajeet hi tha, megha ka pati….

Ajeet bhi anand ko dekh kar thoda hairan rah gaya…kafi samay ke baad jo usne dekha tha aaj anand ko..

Ajeet—bhai sahab aap……yahan…shukar hai bhagwan ka ki aaj aap hame mil hi gaye….kitna nahi khoja maine aur megha ne aap dono ko…vo aaj bhi apni bahan ko bahut yaad karti hai…

Ajeet jahan dono ko dekh kar khush ho raha tha vahi anand mann hi mann apni kismat ko kos raha tha ki vo yaha aaya hi kyo….use urmila ki baat maanni hi nahi chahiye thi……

Anand (bujhe mann se)—hamne bhi tum logo ko bahut pata kiya lekin kuch khabar malum nahi huyi

Anand ne adi ko jaldi se ajeet ki god se utha liya....jaise ajeet ki god me kaante lage ho aur jinke chubhne ka darr ho ki ye kaante kahi adi ko na lag jaye…..

Urmila bhi tab tak un dono ke pass aa gayi…vo bhi ajeet ko dekh hairan huyi….

Urmila—ajeet ji aap….kaha the ab tak..aur megha kaisi hai…..bachche kaise hain….?

Ajeet—sab theek hain bhabhi ji….megha bhi theek hain…..dono bachche bhi theek hain…aur ye adi hi hai na…..aap log to adi ke hote hi jaise ham logo se naata hi tod liya….

Urmila aur megha vaise to hain sagi bahne hi…magar ki kabhi nahi banti thi bachpan se hi….ek teer thi to dusri talwar…..

Anand (khijhte huye)—achchha ajeet ab hum chalte hain…phir milenge….

Ajeet—thodi der rukiye na bhai sahab….abhi to maine adi ko khilaya hi nahi…….

Anand—phir khila lena adi ko abhi hum jaldi me hain…..

Dono ne apna pata aur no. Exchange kiya aur phir milne ka bol vaha se nikal gaye....anand apna address aur no. Dena to nahi chahta tha ajeet ko lekin majburi me dena pada……

Uske mann me apne bete ko khone ka darr satane laga tha…..

Ghar pahuch kar fresh hone ke baad dono adi ko sula kar khud bhi sone lage…lekin anand ki ankho se need koso dur thi….vo apni ateet me khota chala gaya……
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*4

Ajeet—thodi der rukiye na bhai sahab….abhi to maine adi ko khilaya hi nahi…….

Anand—phir khila lena adi ko abhi hum jaldi me hain…..

Dono ne apna pata aur no. Exchange kiya aur phir milne ka bol vaha se nikal gaye....anand apna address aur no. Dena to nahi chahta tha ajeet ko lekin majburi me dena pada……

Uske mann me apne bete ko khone ka darr satane laga tha…..

Ghar pahuch kar fresh hone ke baad dono adi ko sula kar khud bhi sone lage…lekin anand ki ankho se need koso dur thi….vo apni ateet me khota chala gaya……

Ab Aage……………

Anand aur urmila ki shadi ko 8 saal se upar ho chuka tha……anand ki drill banane ki chhoti si factory thi.. kul mila ke agar kaha jaye to dhan daulat ki koi kami nahi thi……

Magar phir bhi dono ke jeevan me ek dukh hamesha rahta tha…..aur vo dukh tha aulad na hone ka… shadi ke itne saal ke baad bhi unki koi aulad nahi thi……

Aisa nahi tha ki urmila maa nahi ban sakti thi ya anand me koi khas kami thi……urmila teen beer pregnant bhi huyi lekin har baar uska garbhpat ho jata tha……

Bade se bade doctors ko dikhane ke baad bhi condition vahi ki vahi thi…..urmila ki dawaiya chalu thi…

Doctors ke mutabik urmila ki bachchedani kuch kamjor thi jiski vajah se vo bachche ka vajan sambhal na sakne ke karan uska garbhpat ho raha hai….

Isi dauran urmila ki ek saal chhoti bahan megha ki usi shahar me uski bhi shadi huyi thi unke do bachche ek ladka aur ek ladki ho chuke the……

Anand aur ajeet dono chachere bhai the…lekin dono ke swabhav me bahut antar tha….ajeet ek no. ka sharabi tha vahi anand iske viprit pan gutkha tak nahi khata tha….

Ajeet ki bhi kapde ki dukan thi…jisse unka kharcha chalta tha……khair jab megha ko do bachche ho gaye aur jab bhi vo urmila se milne aati to un bachcho ko dekh kar urmila ka mann bhi maa banne ke liye machal uthata…….

Aur phir apni kismat par vo rone lagti….aise hi din gujarne lage unke….is beech dono mandir masjid jakar bhi aulad ke liye apna daaman phailate rahe….urmila ka ilaz bhi chalta raha……

Akhir ek din un dono ki fariyad ek bar phir upar wale ne sun li…..urmila phir maa banne wali thi….kahi is bar phir garbh na gir jaye is darr se urmila apna adhikansh samay bistar par hi leti rahti…..

Ghar ke kaam kaaj ke liye anand ne naukrani rakh li thi jo ghar aur urmila dono ka dhyan rakhti…vahi megha bhi tisri bar maa banne wali thi……

Itne parhej ke baad akhir urmila ka garbh is bar bach gaya aur vo ghadi bhi karib aa gayi thi….megha ne urmila se ek mahine pahle hi bete ko janam diya……

Ladke ka naam Rishi rakha gaya…..megha ki delivery ke ek mahine baad urmila ki delivery huyi…lekin is bar result me bachcha mara hua paida hua……

Doctor ne anand ko bula kar sari baat batayi…..anand behad dukhi ho gaya….use apne se jyada urmila ke dukh ki chinta thi jo philhal is samay behosh thi…….

Anand ne doctor se kuch baat karke nikal gaya hospital se……usne khidki se megha ke ghar me ghus kar ek mahine ke nanhe se Rishi ko jo bechara so raha tha ko uthakar chupchap vaha se nikal gaya…..

Aur Rishi ko apne mare huye bete ki jagah lita kar us bachche ka antim sanskar karne chala gaya….

Urmila ko jab hosh aaya tab to vo apne bachche (Rishi) ko dekh kar bahut khush huyi…….kuch der me anand bhi hospital lout aaya……

Urmila pregnant ki vajah se ghar me hi rahti thi aur megha bhi delivery ke bad milne nahi aayi thi jisse urmila us bachche ko nahi pahchan payi…..

Anand ne poore hospital me mithayi baati khushi jahir karne ke liye….dusre din discharge karwa ke anand ne vo jagah chhod kar umred aa gaya…..jaha ek ghar kharid liya tha aanan faanan me usne…

Idhar megha ko jab apna bachcha nahi mila to usne ro ro kar poora ghar sar pe utha liya…..

aaspass pata karne par bhi jab kuch nahi malum hua tha to unhone police fir ki gumshudgi ki……magar kuch malum nahi hua…..

Idhar anand ke ghar us bachche ke kadam padte hi usko khush khabri mili ki ek badi company ne drill banane ka karodo ka order diya hai……

Anand ke mann me bhi usi pal se us bachche ke liye apnapan aa gaya…..do din baad bachche ka namkaran karne ke liye mandir ke pujari ko bulaya gaya…..

Bachche ki janam kundli banate samay wo bahut hairan huye….unke chehre par aate jate bhav ko dekh kar urmila chinta karte huye boli…..

Urmila—Pandit ji sab theek to hai na…..koi chinta ki baat to nahi hai….

Pujari—Nahi Beti….Ye balak bada hi bhagyashali aur chamatkari hai…..iske andar aloukik tez hai jo iske chehre se jhalak raha hai….isme bahut si adbhut shaktiyan hain jo apne samay par use prapt hogi aur har sankat me uski raksha bhi karegi…..

Pujari ki baat sunkar urmila aur anand dono khush ho gaye…..

Anand—Pandit ji hamare bete ka naam kya hoga….?

Pujari (kuch der soch kar)—vaise to iska naam kuch aur hi hai magar isme jo suraj ke saman tez hai to iska naam Aditya rakhna theek hoga……

Anand ne pujari ko dher sari dakshina dekar khush kar diya aur vo bhi khushi khushi ashirwad dete huye chala gaya…..

Us din se aditya urmila aur anand dono ki jaan ban gaya…..in do saalo me anand ki company ko jamkar munafa hua…..ek chhoti si company ab badi hokar Aditya Industries Ban gayi thi….

Lekin anand ko hamesha ye darr satate rahta ki kahi adi ki sachchayi kisi ko malum na ho jaye….is darr se vo hamesha aditya ke prati choukanna rahta tha….megha aur uske pati se apna rishta tod liya ki kahi vo aditya ko pahchan na le…
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*5

Anand—Pandit ji hamare bete ka naam kya hoga….?

Pujari (kuch der soch kar)—vaise to iska naam kuch aur hi hai magar isme jo suraj ke saman tez hai to iska naam Aditya rakhna theek hoga……

Anand ne pujari ko dher sari dakshina dekar khush kar diya aur vo bhi khushi khushi ashirwad dete huye chala gaya…..

Us din se aditya urmila aur anand dono ki jaan ban gaya…..in do saalo me anand ki company ko jamkar munafa hua…..ek chhoti si company ab badi hokar Aditya Industries Ban gayi thi….

Lekin anand ko hamesha ye darr satate rahta ki kahi adi ki sachchayi kisi ko malum na ho jaye….is darr se vo hamesha aditya ke prati choukanna rahta tha….megha aur uske pati se apna rishta tod liya ki kahi vo aditya ko pahchan na le……

Ab Aage…………….

Aise hi khyalo me khoye huye anand ki need kab lag gayi pata hi nahi chala……subah uthne ke baad phir vohi bhag doud……

Samay yo hi beetne laga anand ka business bhi din dooni aur raat chouguni raftar me badhne laga tha….. apne desh ke alawa bhi usne ab England me apni company khol li thi……

Is douran ajeet aur megha bhi aditya ko dekhne unke ghar aane jane lage the..jisse anand ke mann ka chor ghabrane laga tha……

Apne darr ki vajah se anand ne india se England shift kar liya.....aur ek baar phir unka samandh megha ke pariwar se toot gaya....

Magar isse anand behad khush tha…uske mann ka darr bhi england aakar khatam sa ho gaya….urmila apna adhiktar samay adi ki dekh bhal me hi bitati thi……..

Aditya bhi ab school jane laga tha….lekin uska swabhav apne sath ke baki bachcho se kafi alag tha… vo study ke sath hi sath sports me bhi avval tha…..

Din mahino me aur mahine saalo me kab tabdeel ho gaye kuch pata hi nahi chala….is beech aditya ke sath chhoti chhoti ghatnaye yada kada hoti rahi..magar koi badi ghatna nahi huyi jiska ullekh karna itna aawasyak ho….

Anand ab india ke sath hi sath England ka bhi ek naamchin udyogpati ban chuka tha….bade bade logo ke sath uska uthna baithna tha….

Lekin in sabke bavjud vo aditya aur urmila ko poora waqt deta tha…adi to anand aur urmila ki ankho ka kohinoor tha jaise…..un dono ke laad pyar ne aditya ko ziddi jarur bana diya tha….

Aaj aditya ke higher secondary board ke result ke sath sath uska 18th birthday bhi hai……….jiski taiyariya joro se ho rahi hain….

Bunglow ko kisi dulhan ki tarah sajaya ja raha hai ek din pahle se hi……..

subah ke 9 baj chuke hain anand dining table par nasta karne baitha hai……magar nasta kare to kare kaise nasta abhi tak bana hi nahi tha

Ye kewal aaj ki baat nahi hai ye to barso se chala aa raha silsila hai…..Jab tak aditya ye nahi bata deta ki use aaj naste me khana kya hai tab tak urmila na to khud nasta banati aur na hi naukrani ko banane deti

Bechare anand ko ghanto naste ke liye dining table par baith kar intazar karna padta ki kab ye sahebzade need se uthe aur use nasta mile……..

Agar kabhi vo galti se bhi nasta banane ko urmila ko bol deta to usko ulta khari khoti sunne ko mil jati

Urmila saf shabdo me jawab de deti ki “Jab tak mera beta uth ke nasta nahi kar leta tab tak kuch nahi milega, aap ko jyada jaldi hai to bahar kahi kar lena…magar ghar me sabse pahle mera beta hi khayega”

Anand bhigi billi ki tarah chup ho jata…..vo janta tha ki bahas me biwi se koi nahi jeeta to vo kya jeetega aur yadi kisi tarah apni biwi se jeet bhi gaya to maa se hargij nahi….vo apni aulad ke aage pati ko kuch nahi ginti…….

Aaj bhi vo vahi kar raha tha…intazar…apne lakhte jigar ke uthne ka…….magar aditya hai ki mast soya hua hai….use koi fikar hi nahi hai……

Har roj ki tarah aaj bhi urmila hi usko uthane aayi…..

Urmila—adi beta uth jao…dekh kitna time ho gaya hai….uth ja mere nand gopal…..

Aditya—abhi thoda aur sone do na mummy…..

Urmila—Happy Birthday me Lal….

Aditya—vo to aapne raat me hi akar mujhe wish kar diya tha…

Urmila—dekh aaj tera result bhi open hona hai na…..

Result ka naam sunte hi uski need furr ho gayi….magar phir bhi vo ankhe band kiye leta hi raha…

Urmila mushkurate huye uske dono gaalo par…phir mathe par…dono ankho par…thuddi par kiss ki tab jake usne apni ankhe kholi…..

Aditya—good morning my sweet mummy….

Urmila—good morning my sweet loving son…

Aditya ko uthane ke liye urmila ko roj aisa hi karna padta hai….isme dono ki antar atma tak khushnuma ho jati hai….

Urmila—itna natak kyo karta hai uthne me…

Aditya—aap ko pata hai na mummy jab tak aap mujhe aise hug nahi kar leti meri need hi nahi khulti to mai kya karu...

Urmila—chal badmash...jaldi ja aur fresh ho ja.....aur ha aaj kya khayega mera raja beta.....

Aditya—aaj meri pyari mummy ki pasand ka khaunga.....

Urmila—chal theek hai....ja fresh ho ja jaldi....tab tak main nasta ready karti hu....tere dady niche tere intazar me bhukhe baithe hain......

Aditya—ok mom…bas 10 min….

Aditya bathroom me ghus gaya aur urmila kitchen me.....urmila ke kitchen me jate dekh kar anand samajh gaya kunwar sahab uth gaye hain.....ab jake nasta milega....

Nasta to vo bahar bhi kar sakta tha lekin is intazar ke baad jo pyar milta hai vo bahar kaha milega.... anand bhi aditya ko dekhe bina office nahi jata tha….aditya uski bhi kamjori tha…

Karib 30 min me aditya bhi ready hokar niche aa gaya…..niche aate hi uske sath jo hua usse vo hairan ho gaya…..
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*6

Karib 30 min me aditya bhi ready hokar niche aa gaya…..niche aate hi uske sath jo hua usse vo hairan ho gaya…..

Ab Aage………….

Aditya jaise hi niche aaya to dekha poori ki poori uski mitra mandali aake vahi dera jamaye huyi hain sab ek sath me ‘Happy Birthday Adi’ bol kar use wish karne lage….

Anand—Happy Birthday My Son………

Adi—(Pair Chhukar) Thanks Dad…..

Anand ne use uthkar apne gale se laga liya…

Anand—Ye lo beta aaj ka tumhara gift.....

Adi—Ye kya hai dad…?

Anand—tumhara gift hai tum khud hi dekh lo……

Maine vo packet khol kar dekha to usme new car ki chavi thi….maine bahar jakar dekha to Rolls Royce Sweptail car khadi thi ….mere friend bhi is car ko dekh awak rah gaye…

Mai bhi khush ho gaya new car dekh kar vaise mere pass Lamborghini pahle se hi hai….Last birthday par mujhe dad ne hi di thi…..

Magar mummy mujhe chalane hi nahi deti thi….Jab kabhi mummy ya dad ke sath kahi ghumne jana hota tab hi chala pata tha…..

Mai—dad ye car to market me hai hi nahi…phir kaise mili…?

Anand—apne bete ke liye special order dekar 13 million dollor me banwaya hai….Jab pahle kisi ek customer ne apne order par banwaya tha tab ye kewal two seater thi…par maine 6 seater banwayi hai…

Mai—ohh…thanks dad…..mai trial kar ke dekhta hu…apne friends ko bhi ghuma launga…

Par usse pahle mai apko apne friends se introduce to kara du.......

Franklin—Ladayi me hero....Padhayi me zero

Daniel—Ek number ka Randibaaz...Dil ka saf

Margret—khubsurat angreji billi….Aditya ko mann hi mann pyar karti hai

Julia—Amir baap ki nakchadhi aulad…gussa naak par rahta hai

Kaith—Daniel ki g/f

Mai—come on friends…Let’s go for test drive…..

Urmila—Pahle nasta baad me koi drive..samjha…

Mai—ohh mom..bas abhi aaya…jyada dur tak nahi jaunga

Urmila—no..never...pahle nasta uske baad pahli test drive mere sath…

Mai bhi kya karta…..mom ki baat bhi nahi taal sakta to chup chap muh latka ke nasta karne baith gaya…..

Urmila—Jyada udas hone ki koi jarurat nahi hai….chale jana….aur vaise bhi tum sab ka result bhi to aane wala hai aaj…..

Mai—ok mom…

Anand—aur ha..beta aaj shaam ko ghar me party rakhi hai to ready rahna time se…..apne bete ko sabse introduce karaunga…..aur tum sab bhi invited ho….

Mai—ok dad…jaisa aap kahe…

Phir hum sabne mil kar nasta khatam kiya….aur mai test drive par jane ke liye jane laga tabhi mummy aa gayi…aur mere gaalo par hug kar liya….

Urmila—naraz hai mujhse….

Mai—no mom…mai apse kabhi naraz nahi ho sakta…..aap to meri best mummy ho….

Urmila—achcha sun thoda jaldi aana….mujhe tere sath shopping par jana hai…

Mai—ok mom…mai abhi gaya aur abhi aaya....

Urmila—aur sunn...gadi jyada speed me mat chalana....

Mai—offfo....mom...aap itna kyo darti ho...

Urmila—kyon ki tu meri jaan hai....samjha..badi minnato ke baad tujhe paya hai...isiliye hamesha teri hi fikar lagi rahti hai...

Mai—itna udas mat ho mummy.....aap nahi chahti to mai kahi nahi jaunga....

Urmila—chal ja ghum aa aur apne in awara dosto ko bhi ghuma la...

Mai apne dosto ke sath drive ka anand lene nikal gaya….Margret aur Julia dono mere bazu ki seat par mujhse satkar baith baith gayi…..

Ye dono ka niyam ban gaya tha ya yu kahu ki dono me hod lagi rahti thi mere bagal me baithne ki….iske liye aksar dono me nokjhok hoti rahti thi rozana hi…..

(ab ye to hindi jante nahi hain dosto phir bhi main yaha jo bhi batcheet hamare beech hogi use main hindi me likhunga magar aap log english me hi likha hai aisa samajh ke padh lena)

Margret (mann me)—kutiya mere adi par dore daal rahi hai...adi sirf mera hai...

Julia (mann me)—Pata nahi apne aap ko kya samajhti hai...mere aage iski haisiyat hi kya hai..pata nahi adi bhi is billi ko kyon friend bana liya... ..

Franklin—kya kismat payi hai adi ne....yaha koi puchta bhi nahi aur tere dono hatho me laddu hai...do do sundar kanya tere aage piche ghumti hain....

Daniel—tu na mujhse guru mantra lele ladki patane ka...kaam ban jayega tera..

Franklin—vaise mujhe karna kya hoga is guru mantra ke badle me....

Daniel—Jyada kuch nahi...tere pados me jo aunty hain na kisi tarah tu unki nahane ki video banake mujhe de de bas....

Franklin—kyaaa.....sale teri to......dhisum..dhisum

Daniel—abe maar kyo raha hai...uff...tera hath hai ki hathoda...

Vo dono hasi majak me lage huye the jabki kaith ear phone par music sunn rahi thi…


Tabhi achanak gadi me jor ka brake laga…..
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*7

Daniel—Jyada kuch nahi...tere pados me jo aunty hain na kisi tarah tu unki nahane ki video banake mujhe de de bas....

Franklin—kyaaa.....sale teri to......dhisum..dhisum

Daniel—abe maar kyo raha hai...uff...tera hath hai ki hathoda...

Vo dono hasi majak me lage huye the jabki kaith ear phone par music sunn rahi thi…

Tabhi achanak gadi me jor ka brake laga…..

Ab Aage………..

Gadi ke samne ek bada sa ullu aa gaya tha …mujhe laga ki vo meri gadi se dabkar na mar jaye…isliye maine brake laga diye……

Main nahi chahta tha ki mere birthday par mere hi hatho koi nirdosh jeev ki hatya ka paap ho jaye… maine niche utar ke dekha to vaha koi nahi tha…..mujhe bada hi tajjub hua…

Daniel—kya hua yaar gadi kyu rok di tune……..

Ab mai unko batata bhi to kya kahta…..khud ka majak banne se achchha hai kuch bhi bol do….

Mai—arey kuch nahi yaar…..ek billi aa gayi thi samne….

Franklin—tere pass pahle se hi do itni khatarnak billiyo ke hote huye vo bhi dekh ke bhag gayi hogi….hahaha

Dono ne franklin ko ghur kar dekha to vo dusri taraf muh ghuma ke hasne laga…..

Mai—chalo ice-cream khate hain...

Juliya—mujhe icecream bahut pasand hai…..

Margret—mujhe bhi…..

Juliya (muh chidate huye)—kya dekhi bhi hai icecream……free ki mil gayi to…..mujhe bhi…huh…….

Margret—teri jaisi nahi mai ki kahi bhi muh maarne lagu……samjhi...

Mai—apni bakwas band karo dono.....aur andar chalo...

Hum andar aa gaye.....sabne apna apna order diya sivay margret ko chhod kar.....

Juliya—mere liye strawberry….

Kaith—mere liye orange wali…

Mai—mere liye malayi ice cream….

Margret—mere liye bhi malayi wali.....

Juliya (turant)—mere liye bhi malayi wali hi lana...vo wali cancel...koi khas nahi vo wali....

Margret—tu apni strawberry hi le samjhi....

Juliya—tujhe kya karna hai...mai koi si bhi lu....

Waiter—malayi wali kewal do piece hi hain......strawberry le aau kya....

Mai—theek hai….

Thodi hi der me sab ka order aa gaya….Margret aur Juliya malayi wali icecream ke liye apas me jhagadne lagi…..

Juliya—malayi wali mai hi khaungi….tu chahe to strawberry le le….

Margret—mai kyu lu...tu hi le le...

Juliya—dekh jyada juban mat chala....nahi to theek nahi hoga....

Margret—mai tera muh noch lungi…..

Daniel—le bhai teri billiyo ki ladayi chalu ho gayi.......

Mai—kya yaar tum dono kabhi to shant raha karo.....

Juliya—ha to dekh na tu hi Adi ye mujhe nochne ko bol rahi hai….

Margret—tujhe nochungi bhi aur kaatungi bhi…..

Mai—ek kaam karo…ye lo dono malayi icecream aur ye strawberry mai le leta hu…ok ab theek hai…

Ye dekh dono ka muh utar gaya…..

Margret—tu malayi wali hi kha..mai hi strawberry le leti hu...

Juliya—ab aayi na apni aukat par.....mujhse panga leti hai...

Margret—Adi kya mai aur tum malayi wali aadhi aadhi share kar le....

Mai—ha kyo nahi...ye lo...

Margret—nahi pahle tum khao..phir mai...

Maine thoda sa kha usko diya....usne thoda sa kha ke mujhe khilaya aur phir khud khaya...

Ye dekh Juliya ka daav ulta pad gaya...Margret Juliya ko tirchhi nazar se dekh mushkurane lagi.....

Juliya (mann me)—ise to mai chhodungi nahi....

Juliya—adi meri wali se bhi kha na....

Margret—teri wali teri juthi hai...vo tu khud akele kha....

Mai—chal aaja tu bhi idhar...dono ki kha leta hu....

Ye sunn uske chehre ki mushkurahat vapas lout aayi....turant uth ke mere pass aa gayi....maine bari bari dono ki icecream me se khaya aur unko bhi khilaya....

Kaith—adi result kab tak open hoga..mujhe to tension ho rahi hai...

Daniel—mai hu na…phir kis baat ki tension darling

Kaith—isi baat ki to tension hai….ki tu hai

Ham sab kaith ki baat par hasne lage….daniel ka to popat ban gaya ….

Mai—hone wala hoga ya ho bhi gaya ho shayd…maine dekha nahi…..

Franklin—tujhe kya tension hai…tu to top hi ayega….mera kya hoga….mere dady laat maar ke ghar se nikal denge….meri shadi bhi nahi ho payegi…ye bhi nahi ki kam se kam meri shadi hi kar de….

Mai—chinta mat kar tu bhi pass ho jayega….

Juliya—aur nahi to kya....cheater jo hai...kitni nakal karta hai exam hall me...

Franklin—ab tum logo ki tarah brilliant nahi hu to kuch to karna hi padega na….

Aise hi baat karte huye ham ghar lout aaye…mere room me sabhi aa gaye…laptop par result kaith check karne lagi….jo shayad open ho gaya tha….

Kaith—wow..mere 72% aaye hain…thank god…varna iske chakkar me to meri lutiya doob hi gayi thi…

Juliya—hamara bhi result bata na….adi ke kitne hain…

Kaith—Margret ke 89%, Juliya 82%, Daniel 54%, arey Franklin bhi pass ho gaya 50% se….

Franklin—kyaaaa….mai sach much me pass ho gaya…

Kaith—ha baba ha….

Franklin—aaj mai bhi nariyal phodunga god ji ko….mujhe laat khane se….

Margret—adi ka bata na yaar…..

Kaith—ruk na dekhti hu……adi…adi…adi….ha mil gaya….omg….adi ka to…

Margret—bata na kya hua…kyo tension de rahi hai……

Kaith—adi ne top kiya hai 98% se...

Daniel—hurrah...ab hamari ye team college me bhi dhamal machayegi....

Franklin—ha mai bhi college me jaunga ab….jo bhi raging lene aayega sale ko phod dalunga…

Margret—adi congratulations….

Mai—tum sab ko bhi….

Aise hi nok jhok me shaam kab ho gayi pata nahi chala.....is beech mom aur dad ne bhi ham sab ko result ki mubarakbad di....mai mom ko shopping kara laya...

Shaam ki party joro se chali....dad ne mujhe sabhi businessman se introduce karaya...mere sabhi friends aur school teachers bhi aaye the....

Sabhi party enjoy kar rahe the magar Margret mujhe hi chor nazaro se dekh rahi thi….

Margret (mann me)—adi….I Love You…kaise kahu…himmat nahi hoti…mere mom dad ki haisiyat tumhare barabar ki nahi hai…izhar karne se darti hu kahi tu mujhe thukra na de…mai tumhe bahut pyar karti hu adi….

Maine bhi use ghurte huye dekh liya….dhire se uske pass jake apne hatho se khila diya..jisse uska chehra khil utha….

Isi tarah party aadhi raat tak chalti rahi…phir sabhi guest jane ke baad mai bhi apne room me aa gaya magar room me aane ke baad mere sath badi hi ajeeb ghatna ghati…….
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*8

Sabhi party enjoy kar rahe the magar Margret mujhe hi chor nazaro se dekh rahi thi….

Margret (mann me)—adi….I Love You…kaise kahu…himmat nahi hoti…mere mom dad ki haisiyat tumhare barabar ki nahi hai…izhar karne se darti hu kahi tu mujhe thukra na de…mai tumhe bahut pyar karti hu adi….

Maine bhi use ghurte huye dekh liya….dhire se uske pass jake apne hatho se khila diya..jisse uska chehra khil utha….

Isi tarah party aadhi raat tak chalti rahi…phir sabhi guest jane ke baad mai bhi apne room me aa gaya magar room me aane ke baad mere sath badi hi ajeeb ghatna ghati…….

Ab Aage……………..

Mai jaise bistar par let kar sone laga to mujhe aisa laga ki kamre ke andar koi moujud hai….maine ankhe khol kar room me charo taraf nazar ghuma kar dekha lekin mujhe kuch bhi nahi dikha….

Mai din bhar ki bhag doud se thak gaya tha to ise apna bhram maan kar phir ankhe band kar ke sone ka prayas karne laga……

Jaldi hi mujhe need aa gayi….magar need me bhi mujhe aisa lagne laga ki koi mujhe awaz e raha hai.. maine apni ankhe khol li…….

Mere samne ki table ke upar vahi subah vala ullu baitha tha….mai use yaha dekh hairat me pad gaya ki ye yaha kaise aaya……..

Mai abhi ye soch hi raha tha ki mere kano me phir se kisi ki awaz gunjne lagi……..

“Shukriya dost tumne aaj meri jaan bacha kar mujh par bahut bada upkar kiya hai…mai tumhara ehsaan mand hu”…….

Awaz sunkar mai hairat se apne charo or baar baar dekhne laga magar koi nahi dikha…..mai ye dekh gahri soch me pad gaya…..ki koun hai jo dikhayi to de nahi raha lekin bolne ki awaz aa rahi hai…

Mai—koun hai..? Jo bhi hai samne aao……

"Ye meri hi awaz hai...apne samne dekho.......aditya "......

Maine ghabrakar samne dekha to mujhe us ullu ke sivay kuch nahi dikha........tabhi vo ullu udkar mere bistar par aa gaya....meri to phat ke hath me aa gayi....

Mai turant kood kar bistar se niche utar gaya.....tabhi mujhe uss ullu ke bolne ki awaz aayi......

"Ghabrao mat aditya......ye mai hi bol raha hu....mere pass aao...daro mat".......

Ab to meri solid phati.....ek ullu kisi insan ki bhasa kaise bol sakta hai....nahi..nahi jarur kuch gadbad hai.. mai yahi soch raha tha aur usko dekhe ja raha tha.......

"Mere pass aao aditya....mai tumhara dost hu....dusman nahi"........

Mai (darte huye)—t..u..m.......y.a.ha.n kaise ......aaye...aur...t..u..m.....hamari bhasa kaise bol sakte ho.... ?

Ullu—Pahle tum mujhse darna band karo tab mai tumhe sab kuch bataunga....mere pass aao....

Mai darte huye bistar ke ek kone par dhire se baith gaya.....kya pata kab mujh par jhapat pade...

Mai—ab bolo......yahan kyo aaye ho.....aur hamari boli kaise bol lete ho.... ?

Ullu—mai to ek maha tapaswi rishi ke shrap se ullu ban gaya.....mera naam munish hai...mai ek dev putra hu....

Mai—shrap.....kaisa shrap..... ?

Munish—Bahut samay pahle ki baat hai....himalay ki tarayi me rishi ashtavakra tapasya kar rahe the… unka sharir kamar se lakwa maara hua tha…jisse vo bade hi bedhange tarike se hilte dulte chalte the ek baar mai dharti lok ghumne ki abhilasa se swarg se prithvi par aa gaya…aur ghumte ghumte himalay ki taraf chala gaya…..

Munish—mai bahut hi sundar tha...jiska mujhe behad abhiman tha apni sundarta par....ghumte huye meri nazar un Ashtavakra Rishi ke upar chali gayi.....unki aisi hirni jaisi chal dekh kar mai koutuhal vash unke piche piche chalne laga....

Munish—unke pichhe chalte huye main baar baar unka mazak udata ja raha tha.....lekin vo mujhe dekhte aur phir aage badh jate....lekin mai unka uphas lagatar karta hi raha.....

Munish—akhir meri aisi uddandata dekh kar unko kroadh aa gaya aur unhone apne kamandal se jal apni hatheli par lekar mujhe shrap de diya......

Ashtavakra (kroadh me)—Uddand abhimani dev putra....ye sharir jaisa bhi hai us parmeshwar ki rachna hai.....tu baar baar mere andekha karne par bhi uss prabhu ki rachna ka uphas udaye ja raha hai.... tu nishchay hi dand ka bhagidar hai....tujhe apni is sundarta par bahut abhiman hai na to ja mai Ashtavakra tujhe abhi isi waqt shrap deta hu ki tu ek Ullu ki yoni me janam lekar yaha vaha dar dar bhatakta rah.......

Aur unhone apni hatheli ka jal mere upar chhidak diya......unke ghor shrap se mai bhaybheet ho gaya aur unke charno me girkar hath jod ke unki anunay vinay karne laga......

Munish—mujhe kshama kar dijiye Rishivar.....mujhse vinodvash bahut bada apradh ho gaya....mujhe maf kare hey maharshi......aap to maharshi hain....aap to daya ke sagar hain....mujhe kshama dan de muni shreshtha...

Meri aisi anunay vinay se un maharshi ka kroadh shant ho gaya......Rishi to hote hi dayalu hain....Pal me Tola aur Pal me Masha...yahi rishi muniyo ka swabhav hota hai......

Ashtavakra—Jis tarah dhanush se nikla teer aur gujra hua samay kabhi vapis nahi aata usi tarah mera shrap bhi atal hai....vo vapis nahi ho sakta......kintu mai tumhari shrap mukti ka upay avashya kar sakta hu......

Munish (hath jod)—kripaya vo upay bataye maharshi......

Ashtavakra—Jab koi nek aur raham dil vala insan tumhari giddho (eagles) se raksha karega…vahi tumhari mukti ka kaaran bhi banega…..vo jaise hi tumhara sparsh karega usi kshan tum mere shrap se mukt ho jaoge…..tumhe shrap mukt karne ke badle me us insan ko kayi adbhut shaktiyo ki prapti hogi jinse vo jan kalyan aur dushto ka sanghar kar sake…….

Munish—apki badi kripa munivar…..

Kuch samay baad mere sharir me tez dard uthne laga aur mai dev yoni se is ullu ki yoni me aa gira…tab se mai in giddho se apni jaan bachane ke liye poora din bhagta rahta hu……aur jyada tar samay kisi na kisi ped ki kandrao me hi vyateet karta hu……

Un giddho se apni jaan bachane ke chakkar me ek baar mai ek jahaz ke andar chhup gaya aur Bharat se yaha aa pahucha…….

Aaj mai bhojan ki talash me bahar nikla tha ki tabhi giddho ka ek jhund mere pichhe lag gaya….mai unse bhagte bhagte thak kar tumhari gadi ke samne ja gira……

Mere upar tumhari gadi chadhne hi vali thi ki tumne achanak brake laga kar use rok liya aur meri jaan bach gayi……

Tabhi mujhe un Ashtavakra rishi ki baat yaad aa gayi …ki tumhi mujhe shrap mukt kar sakte ho….aaj tumne meri jaan bachakar unka kathan satya kar diya…..tum behad nek dil aur raham dil ho….

Mai uss ullu (munish) ki kahani sun kar dang rah gaya….mere liye ye kisi ajoobe se kam nahi thi…jis par mai to kya koi bhi yakin nahi karega aaj ke jamane me….lekin mai to khud hi ek ullu ko insani bhasa me baat karte dekh aur sun raha tha……

Mai—chalo mai maan bhi lu ki tumhari baat sahi hai to phir tum mujhe subah dikhe kyo nahi jab mai gadi se niche utra……

Munish—mai tumhari gadi me chhip kar baith gaya tha,,,,,aur usme hi chhip kar yaha tak aa gaya…ab tum mujhe apne hatho se sparsh kar ke mujhe shrap mukt kar do…….

Mujhe yakin to koi khas nahi tha uski kahani par lekin usse pichha chhudane ki garaj se darte darte uske pass jake pith par apna hath rakh diya……

Uski pith par mera hath touch hote hi jo hua vo sab dekh kar to meri ankhe hairat se khuli ki khuli rah gayi…..
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*9

Munish—mai tumhari gadi me chhip kar baith gaya tha,,,,,aur usme hi chhip kar yaha tak aa gaya…ab tum mujhe apne hatho se sparsh kar ke mujhe shrap mukt kar do…….

Mujhe yakin to koi khas nahi tha uski kahani par lekin usse pichha chhudane ki garaj se darte darte uske pass jake pith par apna hath rakh diya……

Uski pith par mera hath touch hote hi jo hua vo sab dekh kar to meri ankhe hairat se khuli ki khuli rah gayi…..

Ab Aage………….

Mere hath lagate hi uske sharir ka prakash badhne laga aur kuch hi der me uska poora sharir ek tez roshni ke ghere me sama gaya………

Lagbhag 10 minute tak ye roshni aise hi tez bani rahi ..meri to ankhe hi band ho gayi…phir jab ye prakash ka aavran dhire dhire ghatne laga tab maine apni ankhe kholi….

Meri ankho ke samne ek 7” lamba nou-jawan khada tha tha jiske sharir me gajab ka tez tha….mai to hairat me pahle se hi tha….ye meri jeevan ki sabse badi aur pahli avishwasniya ghatna thi……

Kuch der tak vo mujhe dekh kar vo yu hi khade halke halke mushkurata raha…..mai bhi bina palak jhapkaye usko hi dekhta raha….

Munish—ye mera asli roop hai….mai tumhara behad shukra gujar hu…tumhari vajah se aaj mujhe punar jeevan ki prapti huyi hai…..agar ye kahu to isme koi atisanyokti nahi hogi…..

Mai (hath jod kar pranam karte huye)—ye to mera ahobhagya hai ki mai kisi devta ki shrap mukti madhyam bana….maine apko bina pahchane na jane manav buddhi vash kya kuch nahi kah diya hoga use meri agyanta samajh kar mujhe kshama karna..

Munish—tum sach much me ek shreshtha manav ho aditya….tumne apna farz nibhaya ab meri bari hai mere karib aao dost…

Mai—dost……

Munish—ha tum vakayi me dosti ke kabil ho….ab mai un maharshi ke kathnaanusar tumhe tumhari shaktiya soupna chahta hu….

Mai—kaisi shaktiya….?

Munish—ye to mai bhi nahi janta dost….ki unme koun koun si shaktiya hai….Rishi Ashtavakra ka yahi adesh tha ki jab mai shrap mukt ho jau to tumhe manav aur jeev kalyan evam papiyo ke nash hetu tumhe kuch shaktiya pradan karu….

Mai—jaisi apki aagya….mujhe kya karna hoga...

Munish ne bina meri baat ka koi jaab diye apna hath mere sar me rakh kar apni ankhe band kar li aur mann hi mann kuch budbudane laga...shayad koi mantra padh raha tha....

Uske hatho se neeli roshni nikalne lagi jo mere sharir me uske hatho ke jariye pravesh karne lagi mujhe apne sharir me bahut tez dard ka ehsaas hone laga..kuch der baad sab normal ho gaya

Uske hatho se neeli roshni nikalni band ho gayi thi magar mujhe dard ab bhi ho raha tha…khade rahne me bhi taklif mahsus ho rahi thi..

Mai—mujhe itna dard kyo ho raha hai

Munish—ye shaktiya tumhare sharir ko majboot bana rahi hain jisse ye unke anukool ho jaye dharan karne ke....thodi der me sab theek ho jayega...

Mai—magar mujhe kaise in shaktiyo ke baare me pata chalega ko kaise kaam karti hain aur kis tarah ki shaktiya hain

Munish—tumhare dhyan lagane se dost....tum jitna adhik samay dhyan lagane me doge utna jyada se jyada inke vishay me jaan paoge….

Phir munish ne mujhe dhyan lagane ka tarika samjhaya...ki kaise kya karna hai mujhe

Munish—mai tumhe kuch aur bhi dena chahta hu dost...ise meri taraf se dosti ka uphar samjho

Mai—jo agya...aapne mujhe apna dost kaha ye mere liye kisi uphar se kam nahi hai

Munish—tum sach me in shaktiyo ke kabil ho aditya....lekin kisi nirdosh par inka prayog mat karna..ab mai jo bhi tumhe dene ja raha hu...usse tum hamesha hum devtao ki tarah jawan rahoge...tumhara chehra aur bhi sundar aur akarshak ho jayega..isse tum kisi ko bhi theek kar sakte ho chahe vo koi asadhya rog ho ya phir koi bhi chot....

Mai—apka bahut bahut dhanyavad is kripa ke liye

Munish ne ek bar phir mere sar pe hath rakh kar roshni ke jariye mere jism me vo shaktiya pravesh karayi……

Munish—in shaktiyo se tum kisi bhi baanjh aurat ke sath sambhog kar ke use aulad bhi de sakte ho… hum devta to bhog vilas ke adi hote hain to ye gun ab tumhare andar bhi aa jayega…bas kisi se jabardasti mat karna….vaise iski jarurat hi nahi padegi…tumhe dekhte hi har stri tumse sambhog karne ko tadapne lagegi

Mai—ye aapne kya mushibat de di…?

Munish (mushkurate huye)—ye mushibat nahi balki isse tumhari shaktiyo ka santulan bana rahega sharir me...kyon ki itni urja sambhalna ek manushya ke sharir ki kshmata me nahi hota....sambhog karte rahne se ye urja ka santulan bana rahega...vaise ab tumhara sambhog ashtra bhi pahle se bahut bada aur bahut mota ho jayega..jisse har stri ko ek aloukik sukh ki prapti hogi aur vo tumhari gulam ban jayegi

Mai—yahi to mushibat hai

Munish—achchha mai ab chalta hu...jab kabhi bhi meri jarurat ho..apne mann me mujhe yaad karna mai hajir ho jaunga...aur ha tum kahi bhi kewal dhyan matra se pahuch jaoge...jaha bhi jana ho us jagah ka ya us admi ka jisse milna ho dhyan karna bas...kisi ke bhi mann ki baat jaan sakte ho

Mai—ji shukriya

Munish—achchha mai chalta hu...mai tumhara hamesha abhari rahunga dost...tumne mujhe ek nayi jindagi di hai....

Iske baad munish vaha se ek jhatke me chala gaya aur mai use aise gayab hote dekh kar but bane dekhta raha...lekin ab itna kuch dekh chuka tha ki isme koi hairangi nahi huyi

Mai bhi dard se tadap raha tha to bistar me girte hi need ki hasin vadiyo me kho gaya....subah meri need jaldi khul gayi...jaise hi meri nazar apne sharir par padi to hairan ho gaya...mere poore kapde jagah jagah se fate huye the....mera sharir bhi bahut majboot lag raha tha

Mujhe apne andar besumar taqat hone ka ehsaas ho raha tha....tabhi meri nazar niche gayi to meri ankhe vo dekh kar shock se phati ki phati rah gayi.......
 
Last edited by a moderator:
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*10

Munish—achchha mai chalta hu...mai tumhara hamesha abhari rahunga dost...tumne mujhe ek nayi jindagi di hai....

Iske baad munish vaha se ek jhatke me chala gaya aur mai use aise gayab hote dekh kar but bane dekhta raha...lekin ab itna kuch dekh chuka tha ki isme koi hairangi nahi huyi

Mai bhi dard se tadap raha tha to bistar me girte hi need ki hasin vadiyo me kho gaya....subah meri need jaldi khul gayi...jaise hi meri nazar apne sharir par padi to hairan ho gaya...mere poore kapde jagah jagah se fate huye the....mera sharir bhi bahut majboot lag raha tha

Mujhe apne andar besumar taqat hone ka ehsaas ho raha tha....tabhi meri nazar niche gayi to meri ankhe vo dekh kar shock se phati ki phati rah gayi.......

Ab Aage.......

Jaise hi meri nazar niche gayi...mai apne auzar ko dekhkar hi darr gaya.....jo pahle se bahut badal gaya tha...pahle ek samanya manav ka lag raha tha jo ab kisi gadhe ka lag raha tha...

Main kuch der tak usko hi dekhta raha..tabhi mujhe munish ke dhyan wali baat yaad aayi to main dhyan me baith gaya...

Lekin dhyan me mann hi nahi lag pa raha tha…maine bahut prayas kiya magar kamyabi nahi mili…tabhi mujhe kisi ke pairo ki aahat sunayi padi to main apni aisi haalat dekh kar turant bistar se uth bathroom me bhag gaya….

Darwaje par knock hone lagi thi ..main jaldi fresh hokar bahar aaya apne kapde pahanne ki koshish ki lekin sab bekar unki fitting bigad chuki thi….

Maine towel lapetkar hi door khola…samne mummy khadi thi….vo kuch bolne hi wali thi ki unki nazar mere sharir ko dekhte hi shock me doob gayi….

Kuch der ankhe phade aise hi mujhe dekhne ke baad vo andar aayi aur mere body ko touch karke uska avlokan karne lagi…..

Urmila—ye tujhe kya hua hai…teri body aise kyo hai…aur teri peeth aur hath par ye tattoo kab banwaye tune….kal ke khane se koi food poisoning to nahi ho gayi kahi…..

Main bhi mummy ki tattoo wali baat se chounk gaya…maine to jaldbazi me kuch dhyan hi nahi diya apne sharir par aaye badlao par….

Main—(kuch soch kar) ha mummy ye tattoo mujhe pasand aa gaya to maine bhi kal banva liya….aur meri body ko kya hua hai..vaise hi to hai..mujhe to kuch bhi alag nahi dikh raha hai..

Urmila—nahi..nahi kuch to hua jarur hai…kal tak to aisi nahi thi…..aaj mere sath chal kisi badhiya doctor ko dikhati hu….

Main—arey mom kuch nahi hai….vo kya hai na ki main body banane ka course le raha hu….shayad ye uski medicines ka effect hoga..bas..its just normal

Urmila—sgayad aisa hi ho…phir bhi koi chinta ki baat to nahi hai na….

Main—nahi mom…but ye kapde mere fit nahi ho rahe hain…ab kya pahnu…

Urmila—ruk main abhi aati hu………tere papa ke dress lati hu…vo hi pahan le…baad me market se new purchase kar lena…

Mummy kuch hi der me papa ke kuch dress le aayi jo maine try karke pahan liye…vo bhi poori fitting ke to nahi the…lekin kaam chalau the…

Is douran mummy ektak mujhme hi khoyi huyi thi….maine ye dekh kar unhe hila kar unka tandra bhang ki..

Mai—kya hua mummy…kya meri body me kami hai koi…?

Urmila—agar ye real me normal hai to amazing hai….tu bahut handsome lag raha hai….mere bete ko kisi ki nazar na lage….ruk main abhi tere kaala tika lagati hu…

Mai—ye kya mom…aapne poora chehre hi kaala kar diya..

Urmila—mere bete ko kisi ki nazar na lage isliye….aur tu aaj andar se door lock kyo kiya tha

Aamtaur par mere room ka door open hi rahta hai….mummy ki raat me jab bhi need khulti hai vo ek baar mere me jarur aati hain mujhe dekhne…kuch der mujhe niharne ke baad mathe par kiss karke chali jati hain…ye unka bachpan se routine hai…main kal ki ghatna ke kaaran door lock kar diya tha..baad me thakan aur need ki vajah se open karne ka khyal hi nahi aaya….

Khair main kuch der baad jogging ke liye nikal gaya…mujhe sath dad bhi aa gaye…jo roj himorning walk karte the….

Anand—kya baat hai…aaj mera sher bahut badla hua lag raha hai….body shody bana li…itna jaldi aur aaj jogging bhi…kahi koi ladki sharki ka chakkar to nahi…

Mai—nahi dad…koi ladki vadki ka chakkar nahi hai….bas mann ho gaya to aa gaya apke sath

Anand—chal achchha kiya….itna bada business handle karne ke liye body ki fit rahna bhi jaruri hai

Mai—dad…abhi to main bahut chhota hu…..

Anand—ha beta tu abhi bahut chhota hai….kewal 18 saal ka hi to hua hai abhi…..arey nalayak ye umar me to hamari age me log 4-5 g/f bana lete the….ab to jamana aur bhi advance ho gaya hai…

Mai—kya dad …main mom ko batata hu ki apke pith pichhe apke pati kya kya gul khilate hain…

Anand—ye kya beta apne baap ko ghar se tadipar karwayega kya….?

Hum dono aise hi baate karte huye morning walk ka anand utha rahe the….dad to hafne lage the…magar mujhe koi fark mahsus nahi ho raha tha…thakan ka namo nishan nahi tha…..

Raste me ladkiya baar baar mujhe ghur rahi thi….mujhe bhi unme interest aa raha tha…meri nazar unki or jate hi unki body ke private parts ko scan karne lagti thi jo aaj se pahle kabhi mere sath nahi hua tha

Main samajh gaya ki ye sab gandi aadte un shaktiyo ki vajah se hi mujhme aa gayi hain…pakka ye kisi din mujhe joote chappal khilayengi..

Ek ghante ke baad hum vapis lout aaye….main naha dhokar nasta kiya aur market nikal gaya aur kuch shopping karke return aa gaya…

Aaj college ka bhi pata karna tha to maine margret ko call kiya …ek ring me hi uth gaya…jaise vo mere call ke intazar me hi hath me phone liye baithi rahi ho…

Margret—hi adi good morning

Mai—good morning my sweet heart

Margret ka chehra khil utha…aaj pahli baar tha jab aditya ne use call bhi kiya tha aur aise baat ki shuruaat ki thi…..

Margret—wow…aaj suraj pashchim se kaise nikal aaya…itna romantic

Mai—kya kar rahi ho yaar aa na….mai bor ho raha hu….tu to meri sabse best friend hai….college ka disscussion karna hai..

Margret—thanks adi…..tu ruk 10 min…main abhi aayi….

Margret khushi se uchhalte phudakte huye aanann faanan me ready hokar adi ke ghar pahuch gayi….

Urmila—aa ja beta kaisi ho…? Nasta karegi….aa ja….

Margret—Thanks aunty….vo Adi kaha hai….

Urmila (mushkura kar)—Ja uske room me chali ja…vahi milega vo …..

Margret doudte huye aditya ke room ki or badh jati hai…

Urmila (mann me)—pagal hai….mai bhi ek aurat hu…tere mann ki baat bhali bhanti samajhti hu.....

Margret jaise hi adi ke room me enter huyi to samne ka scene dekhkar uski ankhe fati ki fati rah gayi….
 
Last edited by a moderator:

Top