Thriller DARD

Eaten Alive
4,118
4,183
143
First of all :congrats: for new story...

akshar maine kayi stories pe gaur ki hai... writers kahani ke (story characters) intro mein hi bahot Sare kirdaar add kar dete hai... isse kya hota hai ki Readers khud confused ho jaate hai kayi baar ki kiska kya naam tha...

Lekin aapne is kahani mein characters ke introduction ke waqt utne hi characters ke bare mein parichay diya hai jitni jarurat hai...sath hi plus point ye ki bilkul saral tarike pesh ki hai aapne...

ye kahani Reyasnsh rajput ki hai...aur badhte kahani ke sath baaki ke aham kirdaar uske ird gird role ada karne wale hai .....
Well intro mein hi ek khas baat pata chali hai ki Reyasnsh ki jindagi kaafi dard ke sath sath mushkilon sebhi bhari hai... shayad family walo se avahelana milne ki wajah se.. Family mein ek dada ji hi the jo ushe pyar dular karte the,,lekin afsos wo bhi naa rahe... haan bas uski chhoti bahan swara hi wo ek hai jiske dil me apne bhai ke liye sneh hai... fikar karti hai....

Par khudke hi pariwar se ye avahelana milne ki wajah kya hai? shayad badhte kahani ke sath pata chale...
Kahani kaafi rochak aur dilchasp hone wali hai ....
jaise ki ye intro pe review... :declare:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 1
Bahot hi shaandaar suruvaat huyi hai kahani ki ... naye mod, naye pehlu.... ek freshness...sath hi ek simplicity hai aapki lekhni mein...
well kahani ki suruvaat mein hi ek baat to pata chal gayi hai ki ye jo Reyasnsh ka dard se nata jud gaya tha uske piche ho na ho Reyasnsh ki chachi ka bhi hath hai...
Aksar jaha pariwar mein naya mehmaan aane se, uski kilkaariyaan sun sabhi parivaar wale khush ho jaate hai , jaise Reyansh ke aagman par raghuveer aur uske family wale behad khush the, wohi Reyasnsh ki chachi andar hi andar jal rahi thi...
I think wo bas mauka ki taak pe hai... ki kab mauka mile aur Reyansh ko manhoos sabit kar de...
dudh ki jagah khoon nikalne par Reyansh ki chachi ne ek try ki ki thi... lekin chuk gayi...

well... shayad naamkaran ke din kuch hone wala hai.. uski chachi ko bhi shayad mauka mil jaaye...
Shayad iske baad us masoom se bachhein ki jindagi hi badal jaani hai ..lagta hai. dukh ke badal ghirne hai lead story character ke upar...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 2

Lag hi raha tha ki naamkaran ke din kuch na kuch to hone wala hai... jo Reyansh ke aane wale kal liye katayi thik na tha... Pandit ji ne kundali banate samay jo kuch bhi kaha uspe baaki family walo ne to viswas nahi kiya lekin kahi na kahi shikha ke mann mein Reyansh ko leke shaq paida kar diya tha... mauke pe chauka maanre wali kamya chachi mauka mil gaya Reyansh ke against chugli karne ke liye...
Lekin sabse bada kand tab hua ya ye kahi jaaye ki Reyansh ke jindagi mein sabse bada dardnaak mod tab aaya jab jewellery shop pe aag lagi... sara dosh gharwalo ne us bichare masoom se bachhe ke sar pe daal diya, upar se chugli karne wali kamya ki baatein aag mein ghee ka kaam kiya.... raghuveer to raghuveer, yaha tak ki shikha ne bhi Reyansh ko ek manhoos maanke usko aise avahelana karne lagi jaise raste pe gira hua koi patthar ho ... .. are jewelry shop pe aag lagi ab usme us bichare ka kya dosh... kaisi maa hai, jo dusro ki baat maan ke khud ke bete ko hi manhoos maanne lagi :sigh:
ye kamya to sach mein kamini nikli..shayad aaj wo behad khush hogi,aakhir man ki murad puri jo ho gayi ..
bas ek dada ji hi the jinhone dusro ki baat naa maankar rota hua Reyansh ko goud mein leke chup karane laga... Kyuki Reyansh ke dada ji ka ye maanna tha ki jo kuch bhi hua wo mahaj ek durghatna ke alawa kuch bhi nahi , family ke baaki ke members bewajah hi us masoom pe dosh laga rahe the ..

Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan aur sath hi dilkash kirdaaro ki bhumika bhi... P.S. Waise sirf Reyansh ke dada ji ne hi dilkash role ada kiya hai... bilkul sakaraatmak :thumbup:

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
update 3
Duniya mein mata pita hi wo do insaan hote hai jo apni aulaad ke liye kuch bhi kar sakte hai... Khud bhookhe reh jaayenge lekin unki koshish yahi rahegi ki unka bachha khali pet na soye... agar chhoti si chhot bhi aulaad ko lage to us chhot ko dard se tadap uthe hai maa baap... agar aulaad pe koi musibat aaye to apne sar le lete wo musibat... mata pita aur aulaad ke bich ka rishta hi itna anmol hota hai ki baaki rishte jaise iske aage bahot chhote par jaate hai...
Lekin Reyansh ke ghar mein to iska thik ulat hi ho raha hai.... raghuveer aur shikha ye jo rabaya dikha rahe Reyansh ke prati, jis tarah se maar pit kar rahe hai usko, jis tarah dard de rahe hai ushe dekh to yahi lage ki raghuveer aur shikha insaan kya janwaar kehlane ke bhi layak nahi...
aur us shikha se behtar ek raah chalti kutiya hai... jo apne bachho ko bina bhed bhav kiye ek nazar se dekhti hai..dudh pilati hai...
Saima ne to sach mein dil jeet liya... sach mein wo ek nek dil aurat hai... mamta ki murat jo bina koi shart ke Reyansh ko sage bete ki tarah apna liya , apna dudh pilane ke sath sath ushe ek maa ka pyar dene mein ki bhi puri koshish ki...
Saima ke jariye writer sahab ne bahot hi important sandesh di hai... ki insaan ch aahe amir ho ya gareeb , kul ucha ho ya nicha.. lekin ek insaan tabhi khud ko ek insaan kehlaane ka haq rakhta hai jab usme insaaniyat ho, dusro ke liye daya ho... mamta ho...
Actually Jis din Reyansh ke family walo ko ehsaas hoga ki wo log kitna galat kar rahe the Reyansh ke sath, tab unlogo ko bhi wohi dard ko sehna hoga pal pratipal, jis dukh dard ko aaj Reyansh bhugat raha hai , seh raha hai...
ek tarah se dekha jaaye to bas Reyansh ke chacha aur dada ji aur saima maa ko chhod ke baaki ke villain family wale Reyansh ke jaani dushman ban baithe hai...

Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan .... kaafi hriday vidaarak mod aa rahe hai kahani mein...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 4

Writer sahab ne har update ke sath emotional , heart breaking moments add karne mein koi kami nahi chhodi hai.....
so Reyansh ab school jaane laga... ek dost bhi mil gaya...
Btw dekha jaaye to shaitan to janvi hai... itni si umar mein se itni laalchi, hinsak, swarthi hai to aage chalke jaane kya banegi ye to soch se bhi pare hai... itni jalan to shayad us kamya ko bhi nahi hai shayad Reyansh ko leke..jitni jalan janvi ke andar hai Reyansh ke prati...
Janvi didi : tu aur mera bhai teri aukat to ek kutte ki bhi nhi hai.
Kutiya se badtar to janvi ki soch hai... raah chalti kutiya ko bhi do roti khila do to wafadari nibhaye... ye janvi to janwaaro ki sreni mein bhi nahi aati... itni si umar mein iski soch to gande naali ke kide jaisi hai .. jaane aage chalke kaisi soch hogi...
bas saima aur dadaji hi hai jinki wajah se itni nafrat maar pit jhelne ke baad bhi wo masoom khud sambhaale huye hai.. warna kab ka bikhad jata wo...
Dad : haa , mujhe pakka yakeen hai ye us manhus ke karan hua hai.
Chachi bahar khadi ye baat sun rhi thi . Tabhi aag me ghi dalne ke liye wo boli.
Cahchi : haa bhai sahab mujhe bhi yahi lagta hai ki ye zarur usi ke karan hua hai.
Dad: hai kaha wo manhus aaj koi use mujhse nhi bacha skata.
Dad bahar aaaye aur mujhe doodhne lage.
Reyansh ka dard hai ki khatam hone ka naam hi nahi le raha hai... ek to mata pita, khud ki bahan se mili nafrat, upar se us kamya ki chuglibazi....
aur ab phir raghuveer apne business mein huye nuksaan ki wajah Reyansh ko maan ke uski pitayi karna chahta hai... aur aaj to ghar pe Reyansh ke dada ji bhi nahi hai...
actually Reyansh ki galti bas itni si hai ki wo aise nishthur, swarthi, laalchi logo ke ghar janm liya...

jab bhi us masoom ko thodi bahot khushi milti hai jaise kisko uski ye chhoti khushi bhi sahan nahi hoti.. isliye har baar us chhoti ki khushi badle itni nafrat milti hai sath hi kisi janwaar tarah ushe pita bhi jata hai.. :sigh:
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 5

Jaise ki maine ye baat pehle bhi jikar ki thi ki jab bhi us masoom ko thodi bahot khushi milti hai jaise kisko uski ye chhoti khushi bhi sahan nahi hoti.. Jaise nazar lag gayi ho..
isliye har baar us chhoti ki khushi badle itni nafrat milti hai sath hi kisi janwaar tarah ushe pita bhi jata hai.. :sigh:
raghuveer jaise raaksas hi ban gaya tha us masoom ko pitte waqt... aise to janwaar ko nahi mara jata...

itne dard kam the jo aaj uske dada ji bhi uska sath chhod ke chale gaye hamesha hamesha ke liye....
par vidambana ki baat ye hai raghuveer ne Reyansh ko uske dadaji ko ek atim baar dekhne ya chune tak nahi diya... manhoos kehke door kar diya...

Actually saima ki tarah ab to main bhi chaahti hun ki Reyansh ka ye dard ab nasur ban jaaye.... ushe koi matlab na ho raghuveer, shikha, janvi , kamya ya divya se... wo khud ki jindagi jiye... aur agar ye paancho taang aadne aaye uski jindagi mein to unke tange tod ke hath mein de de :bat:

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 6

Us chitthi mein jo bhi baatein likhke gaye the Reyansh ke dadaji, wo solah aane sach thi ... Aaj bhi dil ki kisi kone se jin logo ko ma baap chachi samajh raha tha Reyansh aaj wohi log uske viswas ka gala ghotke usko jaan se maarne ki planning kar rahe the....
Sahi keh rahe the dada ji.... Lekin ye Reyansh hai ki badal nahi raha hai...

Daya dikhane waale hi thokar khaate hai.... to kyun janvi bachane gaya tha Reyansh... Jin logo ki beti ko bachaya weh log hi ab ushe maarne ke liye utaru hai ....
Reyansh ko ab ye baat samajh jaana chahiye ki sidhe ko hi yeh duniyawale ullu banate hai ....
Waqt aa gaya hai ki... ab Reyansh maasoomiyat ko chhod beraham ban jaaye :dwarf:

Isse pehle raghuveer, shikha aur kamya milke Reyansh ko maarne ki koshish kare... usse pehle hi Reyansh apni chaal chal ke un teeno jaan se maar de... :devil:
Phi to naa rahega baans aur naa bajegi baansuri :stopdevil: sari jaydaad uske naam :check:

Well ...Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan ....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 7

Ye kuch zyada nahi ho gaya :D
Ek maa khudke faide ke liye apne hi bachhe ko bahar khila rahi thi ... unbelievable , impossible...
Khair ab writer sahab aise hi kadiyaan jod rahe kahani mein to main kya keh sakti hun..

well..... Wo kehte hai na ki jako rakhe saiyan maar sake na koyi....
shayad abhi uske marne ka waqt nahi aaya tha...isliye to ek angel ke roop aain waqt par swara ghar pahuchi... aur uski haalat dekh swara ushe hospital le aayi... Sukar hai sahi samay ilaj mila ushe.. warna anarth ho jata... Btw Lagta hai ki swara ko shaq ho gaya hai, ... ki ho na ho uske mom dad ne ye mahapaap kiye ho.

Ab to yahi kahungi ki ab waqt aa gaya hai Reyansh ko faulad banna padega, himmat dikhane dikhani hogi ,irade majboot karne honge ... aisa banna hog ki uske ek lalkaar se raghuveer, shikha aur kamya tharthar kaanpe..

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 8
mauka milte hi raghuveer ne ne phir se Reyansh ko janwaaro ki tarah pitne laga, kamya jo chahti thi wohi hua...
Reyansh ki haalat dekh to doctor bhi hairaan pareshaan ho gaya
so Reyansh ab us ghar us shahar ko kahi aurr jaane wala hai ek nayi suruvaat karne, kuch banne ke liye... Uske Dada ji ne bhi yahi kaha tha ki agar wo bada paise wala aadmi ban gaya to duniya jhukegi uske saamne... waise achha hi hua ... Aakhir kab tak us narak mein julm sehta rehta...
shayad yahi se Reyansh ki jindagi badalne wali hai... Waise saima dukhi to hogi ki ab wo Reyansh ko dekh nahi payega , dikar bhi hogi ki is duniya mein akele kaise Reyansh khud ko sambhal payega par ek rahat bhi hogi ushe ki kam se kam ab ushe narak ki yatna nahi sehne padega... kam se kam raghuveer ya kamya jaise logo se door wo khush rahega...

Well ...Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan ....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 9
Ajnabi hote huye bhi niyta ehaas tha Reyansh ka dard ka, wo samajh gayi thi ki jaane kitna kuch saha hoga uske baithe huye is abodh se ladke ne... wo ushe saantwana dene ki koshish ki taaki uska ghum kuch kam ho jaaye..
Lekin raghuveer ya shikha uske maa baap hote huye bhi kuch dhakiya nushi baatein aur andhviswaas ke chalte us bechaare pe julm shane meinbkoi kasar nahi chhodi... upar se nafrat ki is aag mein har baar ghee daalne mein kaam kiya us kamya ne... uske ghar chhod jaane ke sabse zyada khush shayad kamya hi hogi...
Khair.. Finally Reyansh delhi aa pahuncha... ab aage Reyansh jo bhi kuch karne wala hai.. ye kahani ka turning point hoga..

Well ...Shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan ....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 

Top