Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY ROHAN KE PLAN KO FAIL KARNE KE BAAD KHANAK KO BHI SAHI RAASTE PAR LE AATA HAI,DUSRI TARAF ANJALI AUR SANVY AS FRIENDS REUNITE HO JAATE HAIN WAHIN TEESRI TARAF DEHRADUN ME SANVY AUR DELHI ME DIMPLE BATRA APNE LIFE PARTNERS KE DISCRIPTION BATAATE HAIN JO EK DUSRE SE BILKUL ULAT HOTE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-37

14TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






CONGRATS BUDDY....BACK TO BACK SECOND YEAR SPORTS CHAMPION BANA HAI TU...


apne haathon me SPORTS CHAMPION banane par milne waali badi si trophy liye school building ke just bahar bane first ground me RAJAT aur EKPREET ke saath khada tha SAM...

waise sirf ye teen hi nahi the is waqt ground me, lagbhag saare students apne apne groups ke saath khade the yahan...

ek hafte chalne waale lambe sports week ke baad finally prize distribution hua tha jiske disperse hote hi teachers, PRINCI,media houses jinhone most events jeetne waale participants ka interview bhi le liya tha,woh sab jaa chuke the par students abhi bhi yahan moujud the...

jin jin students ke haath me alag alag sports me jeete trophies the,unhe wish kar party demand kar rahe the unke friend's..

par sabse zyada prize jeetne waala SAM jisse is saal bhi SPORTSMAN OF THE YEAR ke khitaab se nawaza gaya tha, lagbhagh pure school ne hi badhayi di thi usse..

pichle saal ki tarah is saal bhi ROHAN second best saabit hua par jo kuch din pehle ghata uske saath,us sadme se ab bhi bahar naa woh aaya tha aur naa uske friends isiliye ceremony khatm hote hi kat liye the woh sab...


NAISHA-what the fuckkk..!!!ab dikhe hain ye dono....aur ye dono kamine.. chhodungi nahi kisiko...


NAISHA joki aaj SAM,RAJAT aur EKPREET ke saath nahi balki unse alag girls ki ek group ke saath khadi thi,chillate hue badh chali thi woh ek disha ki taraf...

wahin RAJAT ki baat sun halki smile di thi thi SAM ne par woh kuch kehta ki tabhi NAISHA ki awaaz sun ghooma woh school premises ke main gate ki taraf jahan se enter hue the mai, ANJALI,NITS aur SONU...

like old times,ANI mere B.M.X ke saamne baithi thi...

waise toh B.M.X ki front dandi thodi tedhi ho neeche ki taraf jaati hai but phir bhi bade araam se manage karke baithi hui thi ANI..

anyways,is guzre pure sports week me hum chaaron hi gayab the...

pure do saalon ka missing hangout waala kota pura kar rahe the hum sab...

camping,rafting,normal picnics,ye sab kiya tha hum chaaron ne is beete ek week me..

aur do din toh ANI ne MAA ko bhi saath lapeth liya tha..bank se off le MAA ne bhi hum sabke saath do din enjoy kiya tha...

par in saath dino me ek aur chiz ki thi hum sabne..woh tha apna apna phone off rakhna...

mere paas toh mobile tha hi nahi but baaki sabke phones morning se late night tak off rehte the..

SONU aur NITS ke parents ko MAA ne bata diya tha ki woh unke saath hain isiliye nishchit the woh sab and for ANI..

uske mom dad business ke silsile me DEHRADUN se bahar the aur aise trips ke beech kabhi call nahi karte the woh ANI ko..

normally toh is baat se taklif hoti thi ANI ko par kyunki ab uske really parent as in meri MAA saath thi uske isiliye usse koi fark hi nahi pada tha...


NAISHA-tu toh gayi aaj kamini..tu kya,tum sab gaye..


badi tezi se doudte hue aayi thi NAISHA hamari taraf..

waise toh uska sabse pehla target ANI thi par hamare paas pahunchte pahunchte mood badal gaya uska aur woh moodi meri taraf..


NAISHA-chhod mujhe..i said leave me SANVY...aaj nahi chhodungi tujhe...

MAI-kamaal hai..khud bol rahi hai nahi chhodungi aur ummid bhi kar rahi hai ki waisa karne ke liye free chhod dun tujhe..


isse pehle ki mujhe maar paati NAISHA,khud thoda tezi se aage badha tha mai aur usse dodge de uske piche pahunch usse jakad liya tha maine...

kuch seconds apni puri taakat laga mujhse alag hone ki koshish ki usne par phir jab usse laga ki koi faayda nahi,toh khudko dheela chhod diya usne...

MMMMHHHMMM..

NAISHA ke ghusse aur uski haalath par has rahe the ANI,SONU aur NITS par tabhi unhe NAISHA ka subakna feel hua jiske baad hasi un teeno ke chehron se turant gayab ho gayi..


ANJALI-hey....please NAISHA..sorry yaar...mujhe nahi pata tha ki hamare kuch din naa milne se tu itni sad ho jaayegi...

NAISHA-ofcourse pata tha tujhe... nahi mili,koi baat nahi,par phone bhi off kar diya tha tune..

tum sabne...haan karoge bhi kyun nahi,tum sabka purana group jo phirse fill ho gaya,kisi aur ki kyun fikr hogi tum sabko..

MAI-bilkul sahi kaha...kyun hogi fikr hume kisi aur ki.. matlabi jo hain hum...sirf apne baare me sochte hain...

jab kuch bhi GALATH lagta hai hume toh jo kusoorwaar naa ho,usse bhi doshi maan saza dene lagte hain hum..

kuch sunana hi nahi hai hume toh..toh kya hua agar woh banda innocent hai..agar culprit ka friend bhi hai toh ye reason kaafi hai usse doshi maanane ke liye...

saalon ka rishta ho toh bhi kya ho gaya,hamari nazaron me kuch khatka toh bhaad me gaya woh relation,usme kiye waade aur nibhaye commitments...

hum toh bas apne logics aur soch par chalenge, phir chaahe woh saare logics aur soch kyun naa hon GALATH....


NAISHA ko apne grip se realise karte hue ye saari baatein kahi thi maine jispar pehle toh woh mujhe hi maarne ke liye palti par jaise jaise meri baatein joki uske ravvaiye ka aayna thi,woh sunti and most importantly, samajhti chali gayi,sir uska jhukta chala gaya...

darasal jo old library me hua,us ghatne se anjaan nahi thi NAISHA..

SONU ke through jab SAM ki cheating aur khaaskar ANJALI ke rone ki baat pata chali usse toh SAM ko bohot khari khoti sunayi thi usne..

par yahan tak toh sabkuch theek hi tha lekin NAISHA ne SAM ke saath RAJAT ko bhi lapet liya tha jiska kasoor bas itna tha ki woh SAM ka friend tha...

breakup tak karne chali thi woh RAJAT se.. bohot manaane ki koshish ki thi RAJAT ne NAISHA ko jispar sabke saamne insult tak kar di thi usne uski...

NAISHA ke ussi GALATH ATTITUDE ki baat ki thi maine jisse samajh sir jhuka tha uska..


NIT-saale,"naam abdul hai mera,sabki khabar rakhta hun, woh line tere upar filmani chahiye thi..

nahi tha yahan tu phir bhi logon ki khabar rakhe hue tha...

MAI-log!!! baat NAISHA ki ho rahi hai..apni ANI ki lesbo partner hai ye,ab iski khair khabar toh rakhunga hi naa..

DHABBBB..

ANJALI-achi baaton ke beech bakwas karne ka P.H.D le rakha hai kya tu...!!!


mere peeth par ek mukka jamaane ke baad kahi thi ye baat ANI ne jispar ek smile naach uthi NAISHA ke face par..


MAI-now that's more like it..aise hi raha kar...

NAISHA-sorry...

MAI-mujhpar suit nahi kar raha ye line!!! haan piche ghumne par jo dikhega tujhe,agar usse bolegi ye word toh zyada justified lagega..


RAJAT aur EKPREET jo humare paas hi aakar khade ho chuke the,unki taraf ghuma diya tha maine NAISHA ko jispar RAJAT ko dekhte hi guilt se bhar gaya tha NAISHA ka dil..

SAM ke chakkar me wakayi kaafi harsh treat kiya tha usne RAJAT ko..

par ab bhi RAJAT ke face par uske liye sirf pyar hi dikha tha NAISHA ko isiliye turant aage badhi woh aur gale lag gayi RAJAT ke..


RAJAT-hey, it's ok baby...

NAISHA-no it's not..i am really sorry..

RAJAT-hakh hai tumhara..

ANI-you guyzz catch up... NAISHA canteen aa jaana...


SAM jo itne der tak nervously ek position me khade rehne ke baad finally himmat juta hamari taraf badh raha tha, usse paas aata dekh mera haath pakad dusri taraf badhne lagi thi ANI..


EKPREET-guyz maaf kar do yaar SAM ko.. please...

RAJAT-haan guyzz..please forgive him..


ANI ka reaction dekh SAM ke toh badhte kadam phirse rook chuke the par EKPREET jo itni der se chup tha,usne ki ye plead jispar RAJAT ki continuity sun jhatke me alag hui usse NAISHA..


NAISHA-are you guyz nuts...jo kiya isne,uske baad iske liye maafi kaise maang sakte ho tum..

infact,isse toh apna dost bhi nahi maanana chahiye tum dono ko..

MAI-phir GALATH jaa rahi hai NAISHA..teri feelings EKPREET aur khaaskar RAJAT par force nahi kar sakti hai tu..

it's not ethical...

aur ye kaise bhul rahi hai ki in teeno ki friendship mere NITS aur SONU ki friendship se bhi purani hai...

kg's se saath hain ye teeno...aise bond overnight break nahi hote aur hona bhi nahi chahiye..

waise bhi,hum sahi ho ya GALATH, koi naa koi toh hona hi chahiye hume back karne ke liye,hume samjhane ke liye..

bottomline,mat aa inke beech...

SAM-hey SANVY,maaf kar de yaar...i promise, it won't happen again..


mai phir aage badhne ko hua hi tha ki tabhi doudte hue mere saamne aakar khada ho gaya SAM..


MAI-wont happen...what won't happen..??

aisa kiya kya tune jo tujhe lagta hai ki meri ijaazat ke bina kar sakta tha tu...


mere is taunt par joki ek harsh sach bhi tha,sir jhuk gaya SAM ka...


SAM-par jo bhi kiya maine, woh tha toh GALATH hi.. you are my buddy aur tera trust toda maine..

ANJALI ko hurt kiya...and i am sorry for all of that...please guyz,maaf kar do yaar...

ANJALI-listen SAM..mujhme ab tere liye koi feelings nahi bachi but haan, koi grudge bhi nahi hai tere against mujhe....infact,i wanna thank you..

tu ek main reason hai jiski wajah se mera best buddy wapas mila hai mujhe..

so we are cool..

SONU/NITS-we too...

SAM-utna hi kaafi hai guyzz..SANVY...

MAI-KHANAK....


KHANAK ek dusre girl group ke saath humse thodi door khadi thi but dhyan uska hamari taraf hi tha..

aur jaise hi maine pukara usse toh pehle toh hadbadayi woh par phir dheeme kadmo se badhne lagi woh hamari taraf..


ANJALI-hey where's RASHI...???

NAISHA-woh nahi aayi..jo hua,pata hai usse isiliye mood off ho gaya uska..

infact,pure sports weekend hi absent rahi hai woh..

MAI-congrats... maine suna 100 mtrs sprint me second aayi tum..


KHANAK ke paas aate hi haath aage badhate hue kahi thi ye baat maine jispar ek nervous smile ke beech mera hand shake kiya usne..


MAI-i hope paise laayi ho tum..!!

KHANAK-ppaise..mmatlab..!!!


hadbada si gayi thi mere is out of the box sawal par KHANAK...


ANJALI-matlab ye ki sport winners apne group ko, friends ko party dete hain..

ab hum paanchon toh loosers hain,bas tune hi laaj bachayi hai is group ki..party toh tujhe hi deni padegi...

KHANAK-thanks...


baaton baaton me ab bhi friend thi woh hum sabki, ANJALI ki ye baat sun baavuk ho gayi thi KHANAK jispar..


MAI-jinke man saaf hote hain unhe thanks aur sorry bolne ki zaroorat nahi padti... kamsekam hume toh nahi..


KHANAK ke saath canteen ki taraf badh gaye the hum aur hume piche se jaata dekh ek thandi saans chhodi SAM ne jispar uske kandhe par haath rakha EKPREET ne..


EKPREET-jo hua,uska asar itni jaldi toh khatm hoga nahi..give it some time man..

RAJAT-they all are our buddies,your buddies...aaj bhale jitne hi naraaz kyun naa hon but i am sure they will come around...maaf kar denge tujhe woh

EKPREET- definately...bas sabr rakh tu..kyunki waqt toh lagega hi..

SAM-WAQT....PAR KITNA.....





DATE-1ST APRIL 2020....

PLACE-SIRIUS





GOOD MORNING STUDENTS...

MORNING MA'AM..

HOLY SHIT...WOWWWWW....


naye saal ki summer classes ke first day aur first period par jaise hi class me enter karte hue sabko morning wish kiya PRINCI ne toh out loud wish sabke mooh se saath hi nikla par at the same time boys ke man hi man nikle ek saath WOW ne unke machalte dil ka haal bayan kar diya tha...

aur is machalte dil ke bhaav ka kaaran...!!!!


PRINCI-students,please welcome your new classmate,DIMPLE BATRA....


DIMPLE BATRA...

5.6 and still growing hieght waali khuda ki ek beshkeemti kaarigari khadi thi sabke saamne...


baal....dark kaale baal jo knot se bandhe hone ke baawjud apna rang saaf bata rahe the, par unke beech nasl bhedi ek laal lath jo halka halka ghumte hue saamne daahine aankhon ke baaju me gir rahi thi...

aankhen....ab kya hi kahen..putliyan jo neele rang ko ek nayi paribhasha de rahi thi...

aur unke ird gird behadh halki par alag alag rango ki paritarika(iris) jo unke andar base putliyon ko aur aakarshak banaate the...

chehra....halka golakar (spherical) jisne gulaabi gorepan ki chaadar odhe hue thi..

aisa rang jisse halke dabaav se bhi agar chhu liya jaaye toh woh gulabipan apna daayra aur asar badhaate hue pure chehre ko dakh le...

honth....waise toh aksar rang gulabi hote hai inke par DIMPLE ke maamle me ye laal the..itne laal maano pure chehre ka khoon utar kar un hothon me bhar aaya ho...

sharir...apne upar bane chehre ko pura nyaay hit(justified) kar raha tha woh atyant santulit sharir...

over all ek aisa chamakta, akarshak chehra aur uspar chaar chaand lagwata vyaktitv jisse dekh "kudrat ne banaya hoga fursat se tujhe mere yaar"..

gaane ke ye chuninda shabd saarthak lagne lagte the...


PRINCI-boys....i said welcome your new classmate...

BOYS-hey.hello....


girls ne toh pehle hi hello bol diya tha new girl ko par boys PRINCI ke saamne hone ke baawjud chupchaap bas ek tak dekh rahe the DIMPLE ko..

isiliye specially BOYS shabd ko stress karte hue kaha tha PRINCI ne jispar hadbadate hue welcome kiya tha sabne DIMPLE ka..


DIMPLE-hello....loosers...


saamne se toh smile kiya usne par un sabki haalath dekh sir shake karte hue khudse kaha tha ye aakhri shabd usne..


PRINCI-well,last year tak DIMPLE DELHI ke aur infact,SIRIUS ki hi tarah india ke one of the most prestigious school ST VINCENT INTERNATIONAL SCHOOL me padhti thi but now she is going to be a part of us..

and let me tell you all that she is a brilliant student..last year,she had achieved 98.7 percent marks..

ab yahan laga tha sabko jhatka..

reason bhi obvious hi tha..SIRIUS ka sabse bright student SAM,uske last year bane the exact 98 percent joki I.C.S.E board ka UTTARAKHAND best result tha..

but as PRINCI said,new girl had achieved more than a state topper...

.7 percent waise toh zyada marks ka difference create nahi karta but I.C.S.E board which is considered one of the toughest board not only of INDIA but of the world,usme ye chota sa gap bhi ek mountain ki tarah tha jisse cross karne ka matlab hota hai atleast double hard work aur tab bhi us gap ko fill karne ki koi guarantee nahi hoti...

anyways, jahan is shock se abhi bhi bahar aa rahe the sab,wahin PRINCI ne sabke liye back-to-back shocks ka kota taiyar rakha tha..


PRINCI-last year delhi me i.q ke saath saath all india quiz,debate aur gymnest competition bhi held kiya gaya tha aur un teeno hi national level competition me DIMPLE was the winner...


itna talent ek hi bandi me dekh waise toh sabhi hadh se zyada hairan the but at the same time ye bhi samajh aa gaya tha sabko ki ye DIMPLE ka talent hi tha jiski wajah se board year hone ke baawjud usse SIRIUS me admission mil paaya tha..

haan ST.VINCENT is one of the most prestigious schools par SIRIUS ke saamne woh bhi kahin nahi tikta tha..

desh ke har incredible talent ka,har topper ka sapna tha SIRIUS me padhna..

aur reason hai yahan se milne waala exposure joki ab tak sabse zyada SAM ko milte aaya tha but now he has a competition...and a very very tough one...


PRINCI-SAMEER...


PRINCI ke SAM ka naam lete hi khada ho chuka tha woh..


PRINCI-DIMPLE..meet SAMEER CHANDER..waise toh SIRIUS ka har student help karega tumhari but to be specific,if you need any assistance,SAMEER ko bol sakti ho tum...

tumhari hi tarah piche saal isne bhi all india I.Q competition jeeta tha..

apni class ke saath saath he is the best student of SIRIUS..

DIMPLE-not any more...


thodi dabi awaaz me kahi thi ye baat DIMPLE ne jisse kisi aur ne toh nahi par PRINCI se saaf sun liya tha.

jahan halki smile naach uthi thi unke face par wahin apni taarif sun bas smile kiya SAM ne..


MAY I COME IN MA'AM...!!!


ye mai tha jo pichle saal ki hi tarah aaj as in school ke first day par phirse thoda late ho gaya tha..

bas kuch seconds pehle hi jab ma'am unke saath khadi new girl ki taarifon ke pool baandh rahi thi,pahuncha tha mai entrance door par...


PRINCI-its the first day aur aaj hi late hain aap...???

MAI-sorry ma'am..wont happen again..

PRINCI-come in...


PRINCI ke baaju se hota hua mai apni row ki taraf badhne laga par tabhi...


PRINCI-waise DIMPLE..he is SANVEER AHARYA...in mahashay se bhi help le sakti hain aap...!!!

MAI-not anymore...


pehle bina laag lapet PRINCI se kahi meri baat,phir class me enter karte waqt bas ek halki nazar gayi thi meri DIMPLE par lekin baakiyon ki tarah atki nahi.

in sab observations se thodi impressed hui thi DIMPLE mujhse...

par ab jab uski help ke liye SAM ke saath mujhe bhi chuna PRINCI ne toh mujhe toh wapas uski taraf ghumte hue wahi jawab diya maine jo usne SAM ke liye diya tha aur ye sun jahan PRINCI ek baar phir halki si muskurayi wahin DIMPLE ka woh saara observation, impression ab ghusse me badal gaya tha..

ghoor rahi thi mujhe woh par mai NITS ke baaju me apna bag rakh bas PRINCI ko dekh raha tha..


PRINCI-ok then...make yourself comfortable...waise bhi first period off hai aap sabka...

get to know each other...


class se nikal chuki thi PRINCI jinke jaate hi class ka mahoul bilkul casual ho gaya..

teacher toh koi aane waala tha nahi isiliye apne apne groups ke saath chit chat me lag chuke the sabke sab...


RASHI-hie,i am RASHI...

DIMPLE- DIMPLE...


sabse pehle RASHI ne hi apna haath aage badhaya tha DIMPLE ki taraf jisse willingly accept kiya tha DIMPLE ne..


RASHI-this is ANJALI, NAISHA and that's KHANAK...

SAB-hey..

DIMPLE-hello..

RASHI-SAM ka intro toh khud PRINCI ne de diya tumhe...uske baaju me jo hai, that's RAJAT, phir EKPREET...

last benchers me se last waala hai NITS, uske baaju me SONU and lastly..

DIMPLE-SANVEER AHARYA...


mujhe ab bhi halka ghurte hue kahi thi ye baat DIMPLE ne..


RASHI-arre haan.. uska intro bhi toh PRINCI ne hi de diya tha..so this concludes our group...

it's the best group of our class...kisise bhi puch lo...kisi bhi official kaam ke liye hum mese kisi se bhi help le sakti ho aur non official work ke liye no ones better than SANVY..

DIMPLE-really...aisi kya baat hai usme...!!!

ANJALI-woh jo kisi me nahi hai..SAHI ke saath usse SAHI koi nahi aur GALATH ke saath usse GALATH bhi koi nahi hai..


ek baar palath SANVY ko dekhne ke baad bade proudly kahi thi ye baat ANJALI ne..


DIMPLE-are you his besty..!!

ANJALI-yup...!!!

KHANAK-uski besty bhi yahi hai but hum sabka besty woh hai..

DIMPLE-great...aur spain chhode kitna waqt ho gaya tumhe...!!!


RASHI se pucha tha DIMPLE ne ye sawal jispar hairan ho gayi woh..


RASHI-how do you know ki..

DIMPLE-tum spain se ho...!!!tumhara accent..waise toh hindi saaf hai tumhari par stressed words bolte waqt spanish accent clearly feel hota hai..

NAISHA-woo..you are smart...

KHANAK-i felt SANVY bol raha hai.. aise hidden facts bina revelation ke wahi toh samajhta hai...


NAISHA ke kaano ke paas dheere se kahi thi ye baat KHANAK ne par usse nahi maalum tha ki DIMPLE jo usse hi dekh rahi thi,lip read karne ka hunar bhi tha uske pass..

aur khudko kisike saath comparison kiye jaane se khush nahi thi woh...

par kaha nahi kuch usne...


ANJALI-so DIMPLE,ye board year ke waqt school change...!!!

DIMPLE-SIRIUS me toh mai last year hi admission lene waali thi..but woh jo national level competitions the,mere last school ke session shuru hone se pehle hi mera naam un saare competitions me de diya gaya tha..

back off karti toh woh chances chhut jaate isiliye i decided to stay there for the year..

but mid term me hi yahan admission ke liye apply karwa liya tha maine...

mere overall results aise the ki mera application approve ho gaya tha..

wahan girls apne chit chat me busy ho gaye the aur is dauran puri class or i should say,class ke saare boys DIMPLE ko nihaarne me busy ho chuke the...

aur in sabme sabse aage tha,NITS...


NITS-koi itna zyada khubsurat kaise ho sakta hai..!!


dono kohni desk par tikaye piche se nihaar raha tha DIMPLE ko NITS..


SONU-jjab kkoi ttere jjitna bbadsurat hho ssakta hhai ttoh kkhubsurat kkyun nnahi...

NITS-chup bhosdike...tere se 10 guna zyada smart hun mai..

MAI-zero ka 10 guna bhi zero hi hota hai...

DHABBB..


mere peeth ke dono taraf ek ek mukka jama diya tha NITS aur SONU ne..


NITS-ek baat bata be...puri class taad rahi hai us ladki k..ye SONU jaise bramhachari ne bhi 2,3 baar dekh liya hai uski taraf par teri nazarein naa ghumi uske chehre par..

purusharth sambandhi pareshani ne toh naa gher liya hai tujhe...

MAI-vaakya sahi tha, shabdon ke prayog me hera pheri ho gayi,bas..

NITS-matlab..!!!

MAI-purusharth sambandhi nahi,do purush jinke aapas me sambandh hain,unhone ghera hua hai mujhe..

aise me kahin aur dekhne ka man hi nahi karta..

SONU-bhosdike..

DHANNNNNNN......

DONO-maaddd.......hhuriiiii....

HAHAHAHA....


ek baar phir mukka jamaane waale the woh dono meri peeth par lekin is baar unke haath ghumte hi apne dono haathon ko tezi se faila dono ki gardan pakdi maine aur dheere se hi sahi par patak diya saamne DESK par..

jahan ek taraf sir halka jhanjhana gaya tha dono ka jispar gaali dete dete control kiya apne words ko unhone wahin sir desk se takraane ki wajah se tez aawaz aayi thi jispar hamari taraf palat situation samajh hasne lage the sab..

DIMPLE bhi thi un sabme par sirf wahi thi jo ab bhi sirf ghoor hi rahi thi mujhe...

anyways,first day tha isiliye pehle period ki hi tarah second period bhi free ho gaya..

third me aaye teacher par padhayi kuch naa hui..

issi tarah third period off hone ka bell baj gaya jiska matlab tha RECESS time..


SAM-hey..PRINCI ne toh formally milwa diya tha, informally,hum mil lete hain..

SAM...friends....!!!


recess hote hi RAJAT aur EKPREET ke baad DIMPLE se hand shake kar friendship karne SAM bhi badha tha aage.

wahin EKPREET aur RAJAT ki friendship toh bade soft aur appreciating way me maan li thi DIMPLE na par SAM ko dekh ek pal ruki woh aur..


DIMPLE-honest reh sakti hun tumhare saath...!!!

SAM-sure...

DIMPLE-are you single..!!!

SAM-excuse me..!!!i mean yaa..

DIMPLe-i hope ki mujhme apni future g.f nahi dekh rahe ho tum.. jo baahar se dikha rahe ho, friendship,andar se bhi feeling sirf wahi ho toh theek rahega...

sorry agar harsh lag rahi hun mai but the thing is as PRINCI was saying,topper ho tum, dikhne me bhi ache ho..

aise me aksar galathfehmi ho jaati hai ki you can get any girl...

but i am not that "any girl"... sirf dosti aur wakayi khush rahungi mai...


DIMPLE ki saari baaton ke dauran sab ektak usse dekh rahe the..

boldness aur straight forwardness ka ek jeeta jaagta example thi DIMPLE..

jo bhi kaha usne,ek straight face ke saath kaha tha..koi attitude nahi jhalka tha uske tone me.

bas ek fact bola tha usne jisse waise hi smile ke saath haath milaate hue sportingly liya SAM ne...

OUCH....

abhi koi kuch ki tabhi ANJALI ke mooh se ye halki cheekh nikli..

REASON..

ekdum sudden uske gardan me peeche se haath daale the maine jispar halki aage ki taraf hadbada gayi thi ANJALI par phir mujhe dekh ghura usne aur...


ANJALI-oye idiot..ladka nahi ladki hun mai..thoda toh waisi treatment diya kar...

MAI-correction... bahar se kya hai tu, woh important thodi naa hota hai,andar waala sach is important..

aur andar se toh ladka hi hai tu..

DIMPLE-excuse me...!!!


turant mere saamne aakar khadi ho gayi thi woh new girl..

aankhon me ghussa saaf dikh raha tha usme joki laazmi bhi tha..

jo SAM se kaha tha usne,wahi dialogue ANJALI ko jo chipkaya tha maine..

theek mere saamne aakar khadi ho gayi thi woh...


DIMPLE-are you mocking me..mazak udaa rahe ho tum mera...

sidhe meri aankhon me dekh rahi thi woh aur mai uske..

ANJALI kuch bolne ko hui par uska haath daba diya maine jo uske chup rehne ka ishara tha..


MAI-khud ko itni importance mat do...


ye bol NITS aur SONU ke saath us new girl ke baaju se hota hua bahar nikal gaya mai..


ANJALI-kyunki bola waise tumne..!!!kisiko yun wajah taunt kare,SANVY aisa hai hi nahi..

SAM-she is right DIMPLE.. GALATH mat lo SANVY ko..he is one of the coolest dude around here..

jo last year sports weak me is group ke beech hua tha, in beete mahino me woh grudge kaafi kam ho chuki thi..

haan pehle ki tarah best buddies toh nahi rahe the ye sab but school premises ke andar normal baatchit chaalu thi in sabki...

anyways,SAM ke statement ki baaki sabne bhi side li jispar kuch kaha nahi DIMPLE ne aur class se bahar nikal gayi...


KHANAK-usse hamari baat samajh me aayi ya nahi...

RASHI-par at the first place, GALATH liya hi kyun usne SANVY ko..

ANJALI-wahi jaane aur baat samajh aayi hogi toh uske liye hi SAHI hoga...

haan ladki hai but agar bheedi SANVY se toh GALATH uske liye hi hona hai phir..


kehte hain,asal baat woh hoti hai jo aapke peeth piche kehte hain log...

wahi baat jaanani thi DIMPLE ko isiliye class se toh nikal gayi thi woh but kahin gayi nahi thi..

diwaar se tik andar chal rahi baatein sun rahi woh..

aur jo baatein hui,facial expressions se uske saaf tha ki she was not happy...

kuch seconds rook wahan se nikal gayi woh...




IN THE CANTEEN:-




DHADHHH......DHADHHHH.... CHATAKKHHHH....


do punches aur ek tamacha jo itne sadhe hue tarike se maara tha maarne waale ne ki chaanta khaane waale par bhi punches khaane waalon ki tarah hi asar hua..

neeche zamin par pade hue the woh teeno...

ye teen aur koi nahi B section ke namune BHAVESH,NEERAJ aur AJAY the aur unhe maarne waale haath the DIMPLE ke..

darasal class se nikalne ke baad garam tha DIMPLE ka dimag isiliye coke peene yahan canteen me aayi thi woh but as beautiful as she was,usse dekhte hi canteen me moujud ladkon ne laar tapkani shuru kar di thi...

ab ye toh normal hi tha DIMPLE ke liye isiliye ek khaali chair par baith apna coke sip karne lagi thi woh par un loundo ke beech baithe the ye teen namune..

actually 4...chowtha woh AMIT tha jiska number abhi lagne hi waala tha...

anyways, DIMPLE se friendship karne pahunche woh chaaron maharathi uske paas aur lage apna chutiyapa failane..

pehle hi thodi frustrated thi DIMPLE jisse ghusse me badla AJAY ne jisne baaton baaton me haath touch kar liya DIMPLE ka aur bas phir....

saarvjanaik dhulayi pratiyogita shuru ho chuki thi jisse aankhein faade dekh rahe the wahan moujud sabhi..


AMIT-you bitch...who the hell do you think are you...!!!

MAI-a student from section A...


meri awaaz sun jahan ek jhatke me piche meri taraf ghumi DIMPLE wahin dusri taraf mujhe dekh aur ye jaan ki DIMPLE meri class se hai,gandiya fath gayi AMIT aur baaki teen B waalon ki..

pichle saal jo hua,uske baad seriously kaan pakad liye the apne apne in sabne...

dobara kabhi bhidna toh door,apne us raaste tak ko badla tha B waalon ne jahan se mai guzarta tha..

abhi bhi wahi hua..turant uthe woh teeno aur..


AJAY-i swear bhai..hume pata nahi tha..we am sorry..


pehli baat mujhse aur aakhri baat us new girl se bol tezi se canteen ke bahar nikalne lage woh chaaron...


DHABBBB....


DIMPLE-bitch apni behen ko bolna...


beech raaste us AMIT ko jisne bitch bola tha us new girl ko, pakda usne aur diya ek punch jispar jeetni tezi se neeche gira woh,utni hi speedily wapas uth nikal chuka tha canteen se...

wahin usse maarne ke baad theek mere saamne aakar khadi ho gayi thi woh new girl..


DIMPLE-help maangi thi maine tumse..!!!

MAI-help..!!!jo kiya maine usse info dena kehte hain...aur woh info maine un ladkon ko di thi,tumhe nahi..

ab agar inquiry ho gayi ho toh side hatengi aap..!!!


mujhe ghurte hue thodi side hati woh new girl jiske baad thoda aage badha hi tha mai par tabhi..


DIMPLE-toh gunde ho tum..tumhe dekh jaisa react kiya un ladko ne, usse toh yahi saabit hota hai...

MAI-kisse saabit hota hai..

DIMPLE-excuse me...!!!

MAI-you heard me..kisse..!!!yahan khade students ko,jo bhaag gaye un ladko ya phir tumhe..

baakiyon ka wahi jaane par agar tumhe saabit hota hai toh who cares then..i don't..

pehle hi kaha tha maine, khudko itni importance mat do..ho nahi tum..


meri baat sun ghusse se bhar meri taraf kadam badhane hi waali thi woh new girl par tabhi..


MAI-bekhayali me agar aage badhi tum toh gale lag jaaogi mere aur phir uska dosh bhi mere hi sir par madhogi.. isiliye jahan ho, wahin raho..

DIMPLE-bulshit...


ye bol meri taraf kadam badha hi diya usne par tabhi...


woh CAN jisse kuch der pehle coke pee rahi thi new girl aur jo ladhayi ke kaaran neeche gir gaya tha, is waqt us CAN ki position theek us new girl ke pairon ke aage thi.

roll over ke waqt kuch coke spill hokar uske chaaron taraf bhi fail sa gaya tha jisse slippery ho chuka tha woh CAN..

aur jaise hi us new girl ne apne kadam badhaye, right foot us CAN par pada uska....

aisa hote hi pair aage ki taraf slip hote hue roll ho gaya...natija..

jaisa kaha tha maine..dono haath mere gale ke ird gird aur sharir mere baahon ke beech jhool sa gaya tha us new girl ka..

jo hua,us situation ko samajhne ke beech ek second mujhe dekhti rahi thi woh new girl par phir turant hadbadakar mujhse alag ho gayi woh...

embarrassment saaf dikh rahi thi uske face par jisse badhana nahi chahta tha mai isiliye SONU ki taraf dekha maine jisne is saare panchayat ke dauran hamara order,2 veg burgers aur mere liye diet coke ka order le liya tha...

mere usse dekhte hi samajh gaye the woh aur NITS ki canteen abhi ke liye hamara basera naa raha aur isiliye aage badh gaye woh..

mai bhi us new girl ke side se hote hue bahar nikal chuka tha jispar mujhe piche se jaate hue dekhti rahi woh..

but thankfully,is baar ghussa nahi halki hairani thi uske face par..


DIMPLE-who are you...!!!girls ne bataya ki you are an average student...

na sports me koi interest,naa acadamics me kabhi koi participation..

par tumhari aankhen, tumhara ravaiya and most importantly,tumhara ATTITUDE kahin se bhi average nahi hai...

khudke liye face par aisa confidence toh ache ache champions ke nahi dekha maine but you...!!!!



naa akanksha,naahi mahatwakanksha, chehre par naa koi CHAAHAT HAI...

kisi aur ne nahi,jaise khud hi ne seemit ki hui apni saari HADH HAI...

padhna mushkil hai tumhe bhale likhawat saaf hai kyunki...

kahani ek taraf se SAHI hai par dusri taraf se puri GALATH HAI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...









AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAM 2019 ANNUAL SPORTS MEET ME BHI SIRIUS SCHOOL KA CHAMPION BAN JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF NEW SESSION START HO CHUKA HAI JISME DIMPLE BATRA BHI SIRIUS ME ADMISSION LE CHUKI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-38

19TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






GO GREEN SO YOU WIN....!!!!


WAISE TOH YE SLOGAN HUMANITY KE LIYE EK MESSAGE HAI PAR MERA ISSE ABHI KEHNE KA REASON KUCH AUR HAI...


ye hamari PRINCI thi jisne essembly ke baad school ke teen senior classes,10th,11th aur 12th ko hall me roka hua tha..apni baat ko aage badhate hue...


PRINCI-ye slogan aaj yahan moujud aap teeno hi classes ke liye ek task hai jisse pura kar aap sab apne liye kuch valuable points gain kar sakte hain S.C.S ke liye....

(S.C.S-SHINING CLASS OF SIRIUS..SIRF SENIOR MOST THREE CLASSES KE BEECH HOTA HAI YE COMPETITION JISME SAAL BHAR ALAG ALAG TARAH KE CURRICULUM ACTIVITIES ME HISSA LE SABSE ZYADA POINTS GAIN KARNE WAALE CLASS KO IS KHITAAB SE NAWAZA JAATA HAI.A SYMBOL OF PRESTIGE AND RESPECT IN SIRIUS)


now coming to the task, CREATION naam suna hoga aap sabne...

DEHRADUN, SAHARANPUR NATIONAL HIGHWAY NUMBER 307 me pichle sunday hamare state ke respected C.M ke haathon inauguration hua tha is 30 acre bade GARDEN ka...

normally inaugration kisi chiz ya jagah ke banane ke baad hota hai but CREATION ke maamle me aisa nahi hai..

ye garden abhi undeveloped hai..raw hai..

aur ye isiliye aisa hai kyunki aaj ke youth ko,as in aap sabko nature ke prati sajag karne ke liye ek bohot hi unique aur impressive way socha hai hamari sarkaar ne..

is garden ki plantation ka kaam government ne DEHRADUN ke sabhi schools ko diya hai..

matlab aap sabko...saare school ke students week me ek baar plantation ke liye,too sow seeds us zamin par jaayenge aur usse garden ka shape dene me apna apna part play karenge..

and i am very proud to say ki is process ka first attempt hume as in SIRIUS ko diya gaya hai..

aaj,infact thodi der me aap sab CREATION spot ke liye niklenge..

class wise,aap sab us zamin par apna apna territory set kar plantation ka kaam shuru karenge..

plantation ke liye seeds aapko wahin CREATION me available kara diya jaayega...

and now for the part jiski wajah se ye task aap teeno classes ke beech competition banega..

yahan se CREATION spot near about 10 kms door hai jahan pahunchne ke kul teen routes hai..

i hope ki aap sabko ya phir har class se kuch students ko woh teeno hi routes ke baare me pata hoga..if yes,say yes...

SAB-YES MA'AM..


teeno hi classes se kuch students ne zor se haan kaha tha..


PRINCI-good..teen routes ke baare me isiliye pucha maine kyunki aap sab CREATION school transport se nahi balki bahar ground me aap sabke liye laaye B.M.X se jaayenge...

i would like to thanks and appreciate BATRA & SONS(biggest cycle shop of DEHRADUN) for providing B.M.X to us for this noble cause...

(MEDIA COVERAGE HONE WAALI THI SIRIUS KE IS TASK KI JISKA TELECAST PURE UTTARAKHAND ME HONA THA AUR ISILIYE APNE SHOP KI FREE PUBLICITY KE LAALACH ME LIYE BATRA & SONS NE IS EVENT KE LIYE B.M.X PROVIDE KIYA THA)

class wise alag alag routes select kar ek race ki tarah niklenge aap sab CREATION ke liye..

wahan bhi kul teen volunteers moujud honge,one for each class..

teeno hi volunteers ke paas teen hoardings hongi jinme aapke respective classes ke naam likhe honge..

apne apne class waale hoardings ke paas pahunch volunteers se seeds packet collect karenge aap aur jahan woh batayenge,un areas me plantation ka kaam shuru karenge..

total 3 hours ka waqt milega aap sabko..in teen ghanto ke baad jis bhi class ne combiningly sabse zyada seeding ki hogi,they will get 100 points...

second place waali class ko 50 points milenge and third as in last aane waali class ko 25 points milenge..

clear....

YES MA'AM..


bohot hi saaf aur understandable way me batayi thi puri prakriya PRINCI ne jisse sun kaafi excited ho chuke the teeno hi classes ke students...


PRINCI-good...off to the ground..


kuch faculty members jo hamesha essembly podum me PRINCI ke piche khade rehte the,unke saath ground ki taraf badh chali woh..

wahin que maintain rakh students bhi hall se nikalne lage..

is beech...


DIMPLE-wow..toh isiliye SIRIUS sabhi schools se itna alag hai..

aise events,tasks VINCENT me kabhi nahi hote the...

upar se itni media coverage..this is one hell of a school..

ANJALI-its a whole world babes..aur abhi toh hum school me hain..

SIRIUS ka college section is 100 times more competitive and exciting then the school division..

DIMPLE-suna hai maine..

RASHI-waise ye BATRA & SONS tumahare relative toh nahi hai naa..!!!

DIMPLE-hahahaha...nopes..

ab har BATRA mera relative toh nahi ho sakta naa...

RAJAT-waise ek hafta ho gaya tumhe hamara group join kiye hue but we still dont know anything about your parents..

where do your parents live DIMPLE..yahin ya delhi me...

DIMPLE-pata isiliye nahi hai kyunki you all never asked....waise my parents are divorced...

meri custody mom ko mili hai..and no,naa woh yahan hain aur naahi delhi me..

ARCHANA BATRA naam hai meri mom ka and she lives in london..

SAM-BATRA STEELS ki successor hain madam...

(BATRA STEEL..ONE OF THE TOP 10 LEADING STEEL INDUSTRY OF INDIA JINKE KUCH BRANCHES YA PHIR KAHUN FACTORIES ENGLAND KE TEEN CITIES LONDON,BRISTOL AUR BIRMINGHAM ME BHI HAI...)

SAM ki baat par ghoor kar dekha DIMPLE ne usse jispar..


SAM-what..ab itna solid background ho toh khabar faile hi jaati hai...

RASHI-BATRA STEELS..really..!!!par hume toh nahi ye khabar..

EKPREET-nail paint se bahar aaogi toh pata chalega naa kuch aur..

RASHI-hahaha..very funny..but seriously DIMPLE,you toh yaar are very rich...

DIMPLE-correction babes..meri mom successful hain,woh rich hai,mai nahi..but one day,i will surpass her...

meri identity unki pehchaan se bohot aage hogi...

SAM-ambitious...good.....


pure confidence se boli thi ye baat DIMPLE ne jisse SAM ke saath baaki sab bhi usse impressed aur sehmat,dono bhi..

reason bhi obvious tha..ek hafta hua tha is new session ko par DIMPLE ne pure saal ka syllabus pura kar liya tha...

infact, next year ki bhi thodi thodi preps chaalu the uske aur ye baat kisise bhi chhupi nahi thi...


KHANAK-arre,ye SANVY PRINCI ke paas kya kar raha hai...???


kuch door PRINCI se baat kar raha tha SANVY jisse dekh liya tha KHANAK ne aur uski baat sun baaki sabki nazar bhi uspar chali gayi..


NITS-arre woh PRINCI se request karne gaya hai...

SAM-request....kis chiz ki..!!!

SONU-b.m.x ki...usse appni bb.mm.x. se jjaana hhai,ussiki ffariyad llekar gaya hai...

DIMPLE-why...!!!jab baaki sab sponsered B.M.X me jaa rahe hain toh usse apni bike me kyun jaana hai..???

ANJALI-because SANVY loves his B.M.X...uske rehte dusri bike nahi chalayega woh..

DIMPLE-ye toh tab hoga naa jab PRINCI maanegi..

hahahahaha...


DIMPLE ki baat par sabhi has diye jispar face me hairangi liye dekhne lagi woh sabko..


DIMPLE-what's so funny...!!!

RASHI-funny hi toh hai.. PRINCI ka fav hai SANVY..uski request deny nahi karti woh..

DIMPLE-what..!!!SANVY...PRINCI ka fav...!!!


hadh se zyada hairani hui thi is baat par DIMPLE ko jomi logical bhi thi..

is ek hafte me SANVY ko bas masti karte hue dekha tha usne..no passion,no seriousness for studies,zero commitment towards anything,minus in competitiveness...

overall, DIMPLE ke according ek pure looser tha SANVY jisse kuch bhi nahi aata tha aur naahi usme ichha thi kuch banane ki,kuch achieve karne ki...

but is ek hafte me group ke saare members SANVY ye hai, SANVY woh hai,bas issi ki rath lagaye hue the jisse DIMPLE ki SANVY ke liye frustration automatically hi badhne lagi thi..

uske hisaab se khudke liye ek fake heroic identity create kar li thi SANVY ne jisme usne har kisiko fasaya hua tha..


KHANAK-ofcourse...last year PRINCI se bas ek baar bol RASHI ka section tak change karwa diya tha usne joki kisi aur ke liye ek next to impossible kaam tha toh phir ye B.M.X waali request toh kuch hai hi nahi...

ANJALI-oye...akele naa bhaag jaana...saath jaayenge dono...


PRINCI se baat kar wapas aaya hi tha mai ki ungli dikhate hue dhamkaya sa tha mujhe ANI ne..


SAM-hum dono matlab...!!!hum sab kya dusre direction me haa rahe hain...!!!

ANJALI-chal tu bhi chalna saath if you can match up with us..


ek badmashi se bhari smile ke saath mujhe wink karte hue kahi thi ye baat ANI ne jisse sun haste hue sir shake kiye SAM ne..


DIMPLE-ye dono bohot tez challate hain kya B.M.X...!!!


RASHI se pucha tha ye sawal DIMPLE ne jispar has di woh..


RASHI-B.M.X nahi,dimag bohot tez chalate hain dono...B.M.X me long rides ka bohot shouk hai dono ko..

DEHRADUN ka har shortcut jaante hain ye dono isiliye bola ANJALI ne waisa...!!


DIMPLE-hmmpp..there is no short cut to success...bloody looser..


kahan ANJALI ki baat sun DIMPLE sochne lagi thi ki chalo,kisi chiz me toh theek hai SANVY but RASHI se real reason jaan uski nazaron me thoda aur down ho chuka tha woh..

PHRRRRRRRRR.....


kuch hi der baad jaise hi saare students sponsered B.M.X par sawar hue toh agle hi pal DAS SIR ne tez whistle blow kiya aur unke waisa karte hi itni urgency me nikle saare students maano asli task plantation ka nahi balki cycle race ka ho...

par in sabke beech bas ANI aur mai hi the jinhone koi hadbadi nahi ki..

jahan baaki sab kuch hi der me school premises ke gigantic gate jisse pura open kar diya gaya tha,usse hote hue aage badh chuke the wahin mai aur ANI apni hi masti me araam se peddling karte hue aage badh rahe the..


SONU-abbe sslow kkar cchutiye..
wwoh ddekhunn ddono kkko...ppakka shhort ccut mmaarne waale hhain wwoh..

bbaaki ssab B.M.X jjitna bbhi ttez kkyun nna cchalaye,ddekhna yye ddono hi sabse pehle ppahunchenge CREATION...

NITS-aur inke saath hum bhi..ghum jaa dhanno,tera raasta alag hai...


piche ghum SANVY aur ANJALI ko dekh kahi thi apni baat SONU ne jispar NITS ne aur uske piche piche SONU ne bhi apni apni B.M.X ghuma li thi..

par un dono ne ye dhyan nahi diya ki unke baaju me hi cycling karte aage badh rahi DIMPLE ne unki baatein sun li thi..


DIMPLE-loosers ko sirf loosers hi follow kar sakte hain..maarne do shortcut...

CREATION toh sabse pehle mai hi pahunchungi...

ye sab kehne ke beech peddling speed badha di thi DIMPLE ne jiske baad wakayi thodi hi der me sabko peeche chhodte hue woh NH 307 waale route ki taraf badh chuki thi..




PLACE-THE CREATION....




DIMPLE-yes.....i reached here firssssss...

what the fuckkkk....


apni B.M.X ko bade style se slide karwate hue CREATION garden ke bahar bane stand par jab park kiya DIMPLE ne toh ye dekh ki us parking me koi aur B.M.X parked nahi hui thi,khush ho gayi thi woh but bina kisiko bataye apne man me hi lagaye is race me khud ko winner ghoshit karte karte rookna pada DIMPLE ko..

REASON..

CREATION main gate ke just dusri taraf ek golgappe waala khada tha jiske current customers the SANVY,ANJALI,NITS aur SONU..

apni hi masti me bade maze se golgappe ka lutf utha rahe the woh sab..

is beech ek baar nazar ghumi thi SANVY ki DIMPLE ke taraf jispar golgappe se chears ka ishara karte hue ghapak gaya woh usse..


DIMPLE-what the hell are these people doing.. shortcut maarke pehle pahunch bhi gaye phir bhi andar naa jaakar bahar golgappe khaa rahe hain..

stupidity ki height hain ye sab...!!!


apna sir shake karte hue gate ke andar chal padi DIMPLE..

entry karte hi ek nazar us vast open space par ghuma left ki taraf jahan uski class ki sign ka bada sa hoarding laga hua tha aur jiske saamne ek bade se table ke paas khada tha green polo t-shirt aur black trouser me ek volunteer,chal padi DIMPLE..

same colour ke dress code ke saath alag alag directions me do aur volunteers bhi khade the joki obviously baaki dono class ke mentors the..

DIMPLE dekh rahi thi ki jahan unke class ki hoarding lagi hai usse thoda piche kareeb 5 acre jitne faile jagah par bani hui thi ek GARDEN BED..

us BED ko dekh kar hi pata chal raha tha ki mitti gilli nahi balki moist hai jiska matlab tha ki woh BED seed pop in karne ke liye behatarin condition me tha...


DIMPLE-morning sir...

VOL-morning beta...here you go...ye chia seeds hain,ye pumpkin seeds aur ye hain sunflower seeds...


teen open packets jinke teen varieties ki seeds thi,unhe DIMPLE ki taraf kar diya us volunteer ne..


VOL-plantation ka pura process pehle se hi apply kiya jaa chuka hai...

aapko zyada mehnet nahi karni...ye garden apron...wear it...this is trowel..isse...

DIMPLE-plant holes aur seedling ke kaam aata hai..i know..

VOL-good...and here are your gloves...

apna spot chun lo... kamsekam 3 inch dig in karna hai aur phir pop in the seed.. simple...

EKPREET-abbe bhaagte kahan ho...kamino..soom se nikal liye saale,hume bataane me khujli ho rahi thi kya tum sabke...


apna aprin pehen hi rahi thi DIMPLE ki tabhi ye awaaz sun piche palti woh..

ussiki taraf bhaagte hue aa raha tha mai.. mere just peeche ANJALI,NITS aur SONU the aur hume douda rahe the RAJAT aur EKPREET...

SAM baaki girls ke saath haste hue aa raha tha aur uske just piche the teeno hi class ke students jo apne apne standard waale hoardings ki taraf rookh kar chuke the...

anyways,apni taraf tezi se bhaagte hue aata dekh mujhe ghurne lagi thi DIMPLE...

bilkul ussike disha me bhaag raha tha mai aur jis tarah se bhaag raha tha,takkar hone ke chances the hamare aur shayad yahi chahti thi DIMPLE taaki mujhe sunaane ka ek mouka mil jaaye usse..

aur aisa hone hi waala tha..kuch inch ki doori hi baaki reh gayi thi mere aur uske darmiyan par tabhi..

aise stop hua mai maano aage diwar ho jisse bhedh nahi sakta tha mai..

halka sa smile kar DIMPLE ke baaju se hota hua aage nikal gaya mai jispar frustrate toh bohot hui woh but khudko shaant kar liya usne..


MAI-good morning sir..

VOL-goodmorning beta..here you go...ye hain...

MAI-i know sir.. ye WOH hai jisse WOH ho sakta hai jo YE se nahi ho sakta.but YE bhi WOH kar sakta hai jo WOH nahi kar sakta...

isiliye YE thode kaam kaa hai aur WOH bhi thode kaam kaa hai but the irony is ki naa YE mere koi kaam ka hai aur naahi WOH mere kaam ka hai..


meri baat us volunteer ke sir ke upar se gayi thi.. confusing expressions ke saath woh mujhe dekhe jaa raha tha jispar..


MAI-aap zyada mat sochiye sir..bas mai jo apne saath itne saare mazdoor laaya hun,inhe mere hisse ka bhi seed aur gardening equipments de dijiye..

ye sambhal lenge without any complaints..waise bhi advance me hi in sabki rozi de di hai maine ..


DHABBBB....DHABBBB...DHABBBB..

NITS-le saale rozi wapas apni...

SONU-bbhagta kkiddhar hhai bbe...bbyaaj bbhi ddenge ttere mmool kke ssaath...


meri baat par jahan sir has diye the wahin NITS aur SONU ne jamaya mere peeth par ek ek mukka jispar bhaagte hue aage badh gaya mai aur mere piche bhaage woh dono...

ye sab dekh woh volunteer sir bhi samajh chuke the ki hum bas masti aur enjoy karne aaye hain yahan..

task,extra class points se koi matlab nahi hai hume isiliye sir shake kar haste hue woh baaki interested students ko seedling equipments dene lage..

wahin DIMPLE SANVY ke bahaane ke sunkar ek baar phir frustrate hui thi..

baat S.C.S ki thi jisme har student ka actively part lena puri class ke liye important tha but SANVY ki wajah se ANJALI,NITS aur SONU bhi ab is task ka hissa nahi the joki unke class ke liye ek drawback tha..

aise me uska SANVY par frustrate hona bhi GALATH nahi tha..


DIMPLE-in loosers ki wajah se mai ye task nahi haarne waali..un sabki fillings mai akele hi karungi..

apne saath saath SANVY,ANJALI,NITS aur SONU ke seed packets bhi pakad liye the DIMPLE ne..

SAM,KHANAK,RASHI,NAISHA,RAJAT aur EKPREET apne apne apron pehen seed packets utha rahe the...

un sabko ek baar dekhne ke baad piche ghumi DIMPLE ki nazar jahan media ke log khade the..

student cycling part ko cover karne ke baad filhal kuch long shots le rahe the woh sab..

unke interaction me kaam nahi karna chahti thi DIMPLE isiliye usne socha ki kyun naa unke hisse ke bane GARDEN BED ke aakhir ki taraf joki is CREATION ke edge tak gaya tha,wahan se shuruat ki jaaye..

issi soch ke saath us edge point ki taraf joki asal me CREATION ka north enter aur exit way tha,wahan ke liye badh gayi DIMPLE par usse nahi maalum tha ki jahan woh jaa rahi hai,us entrace aur exit point ke just bahar PRINCE SCHOOL & COLLEGE ki sarhad ka outer area bana hua tha jahan normaly class bunk kar sutta kheenchne us school ke ladke aaya karte the..

aur aaj jab PRINCE ke students ko pata tha ki government based plantation program ke tahat SIRIUS ki ladkiyan jinpar PRINCE hi kya,DEHRADUN ke har school aur college ke ladke ka crush hota hai,woh aayi hui hain toh aise me manchale ladko ki bhid ka us area me hona laazmi hi tha..


WHAT THE HELL..KYA MAAL HAI YAAR....!!!! BEHENCHOD,NAS CHADHA DI SAALI NE..

DIMAG KI BHI AUR LUND KI BHI..

PEHNA SKIRT HAI SAALI NE PAR DIKH PANTY RAHI HAI MUJHE..


apne pant me aaye us instant ubhar ko masalte hue kahi thi ye baat DEEPESH ne..

DEEPESH toh yaad hi hoga..PRINCE school ka lounda jisne SAM ke resort me SIRIUS waalon ko fasaane ke liye help kiya tha NAMITH ka...

power ki single lense mini binoculars se DIMPLE ko jo is waqt GARDEN bed ko chhute hue uski nami feel karke dekh rahi thi,taad raha tha DEEPESH..

area uska,school premises ki hade bhi uski but phir bhi sidhe CREATION me nahi kuda tha DEEPESH naahi apne friends jinki taadad kul 9 logon ki thi,unhe wahan jaane diya tha aur reason sirf ek tha ya phir ye kahun ki ek naam tha..

SANVY...

resort me jo hua,usne DEEPESH ke man me SANVY ki image us billi ki tarah bana di thi jiska rasta woh khud bhi nahi kaatna chahta tha...

isiliye un KARANJA ke ped jinhe scientifically milletia pinnata bhi kehte hain,un pedon ke jhurmut ke piche bane red brick wall joki PRINCI PREMISE ki ek sarhad thi,unki ot liye apne binoculars se taad raha tha DEEPESH DIMPLE ko...

saath hi saath SANVY ki location track karne ki koshish thi uski jo ab tak kahin nahi dikha tha usse..


FRIEND 1-abbe kya akele akele hi nazaare dekhega bhosdike... hume bhi toh dikha PRINCE me SIRIUS ke nazaare...


ek garden cemented bench jispar khada tha DEEPESH,usse wahan se kheenchte hue neeche utaara uske dost ne aur uske binoculars ke sahare jaise hi nazar gayi uski DIMPLE par, toh uske haale-e-dimag-e-lund ka bhi haal kuch kuch DEEPESH ke jaisa hi hua..


FRIEND-maa kasam bhai...aisi maal toh apne PRINCE kya, DEHRADUN ke kisi aur school me nahi dekhi kabhi..


bas itna hi bolna tha us lounde ka ki wahan moujud saare tharkiyon ke armaan jaag gaye..

ek ke baad ek un sabhi ne darshan kiye DIMPLE ke aur raay har kisiki DEEPESH aur us second lounde se alag nahi thi..


2ND FRIEND-chalo guyzz.baaki SIRIUS waale toh bohot door hain..bandi akeli lag rahi hai..

intro wagairah ka aadan pradan karte hain..open minded hui toh lapeth lenge aur naa hui toh bana denge..

3RD FRIEND-haan bhai....saali ek nazar me cocaine ki tarah chadd gayi hai dimag me..

DEEPESH-rookon re loudo...pehle baaki students ko theek se check kar lete hain.

kahin SIRIUS ke kisi lounde ne dekh liya toh lene ke dene padh jaayenge...

1ST FRIEND-louda lene ke dene padenge...abbe itna fattu kabse ho gaya tu...ye apni jagah hai..hamari ek awaaz me pura school bhid jaayega in SIRIUS ke chutiyon se..

2ND-pura school...abbe ROUNAK bhai nahi hain abhi apne saath nahi toh woh akele hi maa chod dete SIRIUS ke har student ki..


ROUNAK DHOLAKIA....PRINCE ka aur saath hi saath state ka junior level boxing champion tha ye lounda...


1ST FRIEND-sahi bola...ab woh sab chhodo aur jaldi chalo..nikal naa jaaye woh kahin..

DEEPESH-guyz meri baat suno..its not safe...

2ND-chup be...ek kaam kar,tu dubak ke baitha raha idhar..hum aate hain...


ye bol edge me bane chote se gate ko khol PRINCE se exit aur CREATION me apna pehla kadam liya hi tha ek bande ne ki tabhi..


DHAKKKK......


ek laath pada us lounde ke chest par jiske pressure se badi tezi se apne piche aa rahe baaki loundo ko liye wapas PRINCE PREMISES ke andar gira woh...


JAB DOST SAHI NASIHAT DE,TOH MAAN LENI CHAHIYE....




AFTER 10 MINUTES:-




1ST STUDENT-hey babes.... itne khubsoorat haathon ko maila kar unki touhin toh mat karo..


DEEPESH ke un manchale doston me se ek tha ye jisse dekh aur baat sun ek jhatke me khadi hui thi DIMPLE...


DIMPLE-khud par ek ehsaan karo and just fuck off...


us ladke ke saath paanch bande aur the jo DIMPLE ki baat sun smile karne lage..


1ST STUDENT-oooo..spicey..i like it...and as per your words,off toh ho jaayenge hum bas tum fuck karne de do..

HAHAHA.....

DHAKKK...


DIMPLE ke paas jaate hue ye comment kiya tha us ladke ne jispar uske friends hasne lage hi the ki tabhi chala DIMPLE ka laath jiske padte hi piche ki taraf gira woh banda...

ye dekh hasi toh rook hi gayi un sabki par saath hi saath turant badhe woh paanchon DIMPLE ki taraf...

neeche gira woh ladka bhi fastly khada ho chuka tha...

DHAKKK..DHABBB...DHABBBB..DHABBBB....DHABBBB...

un paanchon ki movement ko analyse karte hue halki zigzag pattern me move hui thi DIMPLE ki body jiske baad badi tezi but ek lay me chala pehle uska pair aur phir uske haath...

kuch hi palon me woh paanchon neeche zamin par the but tabhi..

ek tez push laga DIMPLE ke right se side shoulder me.

ye push us first bande ne kiya tha jisse sabse pehle laath maari thi DIMPLE ne...

uthne k baad woh sidhe naa jaakar side se aage badha tha..

aur kyunki DIMPLE un paanchon par puri tarah focused thi isiliye jab tak woh us bande ke sideward movement ko sense kar paati,woh usktak pahunch chuka tha..

uske push se naa sirf sharir disbalanced hua DIMPLE ka balki uska concentration bhi halka sa kam hua aur tabhi...

jo ladke neeche gire the,unme se do tezi se uthe aur unhone DIMPLE ke dono haath jakad liye..

ye dekh hawa me hi ek full sprint maarne waali thi DIMPLE but tabhi ek banda aur piche se aaya aur usne uske back elbow par apna elbow hit kiya..

us unexpected hit ki wajah se disbalance ho gaya tha DIMPLE ka woh leg..

dusre leg se side hit karne ke liye usse uthane hi waali thi woh but tabhi dusra banda jo ussi leg ke just piche khada tha,mid air me pakad liya tha usne us leg ko.

completely trapped haalath me fasa liya tha un 6 students ne DIMPLE ko jiske baad jis bande ne sabse pehle push kiya tha,woh haste hue badhne laga DIMPLE ki taraf..


MAI-turant chhodo ladki ko or else teachers ko awaaz laga dunga mai...


mai jo exact left direction me khada tha new girl ke,meri awaaz sun aur mujhe dekh ek baar new girl ko pakde apne saathiyon ko dekha us ladke ne aur phir...


1ST STUDENT-aaj toh bach gayi tu..but agli baar tere par zaroor kutrenge hum..

DIMPLE-i will be waiting bastard...


un sabki giraft me bhi bina khouf gurrate hue kahi thi ye baat new girl ne jiske baad usse ek jhatka dekar chhodte hue woh saare PRINCE ke lounde wapas apne school ki taraf bhaag gaye..


MAI-ajeeb ho yaar...!!!help karne par thanks bolte hain aur tum aise ghoor rahi ho mujhe jaise un ladko ne nahi,maine pakda hua tha tumhe..


un sab ladko ko jaate hue dekhne ke beech mujhe bhi bade ghusse se ghur rahi thi woh new girl..


DIMPLE-tum pakdoge mujhe..himmat hai..!!!mard ki tarah khud ladne ke bajaye teachers ka rona rote ho tum..

disgusting...aur tumhare so called friends hero samajhte hain tumhe but asliyat me bas ek fattu ho tum.. that's it...


ek taraf apni bhadas nikaal palaththe hue nikal chuki thi woh aur dusri taraf bhaag apne school ke us mini gate se hote hue premises ke andar jaa rahe un 6 PRINCE STUDENTS ke pairon me ek jhatke se laga break...

REASON..

unke bache do saathiyon ke saath jo kabhi premises chhod hi nahi paaye the,unki taraf hi aa raha tha unka CHAMP...

ROUNAK DHOLAKIA....


ROUNAK-abbe kahan se bhaagte hue aa rahe ho tum sab..!!!ye dono bata rahe the ki kisi SIRIUS ke lounde ne buri tarah maara tum sabko...


woh do lounde jinke mooh sooje se hue the,unhe dekh ek lambi saans chhodi aur phir jo asal kahani ghati thi,uska vivran dene laga un bando mese ek jisse sun jabde sakhti se bheench gaye ROUNAK ke..


ROUNAK-bhosdiwaalon...ek lounde ne tum sabko akela pel diya..uske upar ek loundiya se bhi maar khaakar aaye ho tum sab...doob maro behenchod....

2ND STUDENT-par bhai..

ROUNAK-chup gaandu...kahan hai woh lounda aur loundiya..abhi chodata hun unki maa mai..

1ST STUDENT-bhai CREATION me..but abhi kuch karna theek nahi hoga...SIRIUS ka pure senior batch hain wahan aur saath hi saath media ke kuch log bhi hain...

ROUNAK-chalo..dekhte hain..


un loundo ke saath ussi edge point par pahuncha ROUNAK...


3RD STUDENT-woh raha....wahi hai woh lounda bhai par ladki nahi hai unke saath..


CREATION me un sabse thode hi door khade teen ladke aur ek ladki ke group me se ek ki taraf joki SANVY tha,ishara kiya tha us lounde ne..


ROUNAK-abbe hai toh ek ladki udhar..

4TH STUDENT-woh alag hai bhai..jisse hum bhide,woh toh apne aap me akeli thi..

2ND STUDENT-sach me bhai..itni bandiyan dekhi par waisi maal humne toh naa dekhi kabhi...

ROUNAK-saalon..pehle ek ladki se maar khaate ho phir ussi ladki ki taarif bhi karte ho...

1ST STUDENT-ab bhai,jo hai woh hai..aap bhi dekhoge toh pakka paagal ho jaaoge...

one piece item hai saali...

ROUNAK-aisa...theek hai phir..is lounde se baad me nipat lenge, pehle us ladki se mil lete hain jinse maar khaane ke baad bhi uske liye taarif hi nikal rahi hai tumhari..

1ST STUDENT-but bhai,ye banda bohot khatarnaak hai.. matlab..

ROUNAK-aukaad me reh bhosdike..bhul gaya kya kisse baat kar raha hai...!!!

khatarnaak tum jaise chhutiyon ke liye hoga,mere liye bas ek punching session se zyada kuch nahi...

chaar mukke me hag dega maadarchod....

lounde ki tention chhod....chote, info nikaal paayega us ladki ki....!!!

3RD STUDENT-100 percent bhai..2 din me deta hun uski detail mai..

ROUNAK-bas phir..wakayi ras se bhari hui nikli bandi toh woh ras peekar rahunga mai....




BACK TO SANVY:-




NITS-ab batayega saale,chal kya raha hai...???

MAI-matlab...!!


halka haste hue kahi thi ye baat maine jispar ghurne lage woh teeno mujhe..


ANJALI-mai batati hun matlab..!!jab se idhar aaye hain,hai hamare saath tu par dhyan tera us DIMPLE ke upar hi tha.

naa mat bolna,mooh tod dungi..

aur aaj hi kya,ye chiz ek hafte se notice kar rahi hun mai...

but most importantly,abhi jo hua,DIMPLE ki woh puri fight tune choreograph ki thi..!!!

pehle toh un PRINCE ke ladko ko maarta hai tu jinme se do toh lagbhag behosh hi ho jaate hain..

(ye wahi do the jo baad me ROUNAK ko lekar aaye the)

woh DEEPESH fattu toh tujhe dekhte hi bhaag gaya tha but baaki sab bhi jinhe tune 30 seconds me samjha diya ki ladhna toh chhodo,they cant even stand infront of you aur isiliye woh bhi bhaagne lage toh unhe hamare through roka tune aur phir sutayi ki..

aur jab haath jod liye unhone toh pehle jo khud karne jaa rahe the woh,to molest DIMPLE,tune khud wahan bheja unhe..

NITS-itna hi nahi,kaise fight karegi DIMPLE,kahan fasegi aur kaise fasegi, woh sab bakayda direct kiya tune un sabko aur woh saale chutiye,book dhang se naa padha hoga kabhi par tera direction ekdum sahi se implify kiya un sabne..

SONU-auur akkhir me kkhud hhi innterfere kar bbhaga ddiya unn ssabko ttune..

ANJALI-ab sidhe sidhe batayega ki ho kya raha hai aakhir...!!!

MAI- i am trying to make her ready...!!!

NITS-for what...!!!

MAI-aaj jo situation hui,woh uski life me lagatar aayegi..

kuch,jaisi dikhti hai woh,uske kaaran but mostly,uska ATTITUDE jo pushing hai,bhadkila hai,uski wajah se..

kuch zyada hi direct hai ye ladki which is good in a way but mostly,jab aap saamne se khud ko imposive dikhate ho toh yahi attitude trouble maker bhi ban jaata hai...

ab uske ATTITUDE ko toh control me nahi laa sakta mai isiliye kamsekam agar woh aaj jaisi negetive situations ke liye ready rahe toh atleast khud ko safe toh rakh paayegi...

NITS-but yaar,6 logon ko ek saath bhej diya tha tune usse bhidne..

kahin kuch GALATH ho jaata toh..

MAI-nahi hota..i have seen her fighting..(canteen)

chaar bando ko agar woh normal se thode zyada better fighter hon toh bhi handle kar sakti hai woh..

but agar paanch bande ho aur woh bhi ek saath attack karen toh thodi problem hogi usse but kisi tarah manage kar legi woh jo kiya bhi aaj usne..

lekin agar ek bhi extra banda aur aa jaaye woh bhi sidhe nahi kisi unpredictable tarah se toh fas sakti hai woh...

SONU-auur wwahi hhua..llast waalle bbande nne sside sse ppush kkiya ttha usse..

ANJALI-kyunki isne bola tha usse waisa karne ko..aur uske baad jaise jaise react karegi DIMPLE,uske according counters aur blocks bhi bataye tune aur waisa hi hua..


mai bas muskura diya ANJALI ki baat par jisse dekh..


NITS-abbe daant baad me niporna pehle ye bata ki aisi incomplete fight ladwaane se hoga kya...!!!

MAI-jinka dimaag sharp hota hai,har competition ke baad,task ke baad even fight ke baad jab woh akele hote hain,us pure scene ko unka dimag apne aap evaluate karta hai..

batata hai ki kahan chuk hui thi..new girl ke maamle me bhi kuch aisa hi hoga..

jaise hold kiya un sabne usse,fasaya,ab uska dimag aise attacks ke liye ready karega usse..

har unpredictable move ke liye taiyar karega uska dimag usse.

NITS-waah...neki kar dariya me daal waala kissa ho gaya idhar toh..

tu usse indirectly training de raha hai,bacha bhi raha hai aur woh tujhe fattu bolke nikal jaa rahi hai..

ANJALI-haan yaar...taunt kiya usne tujhe aur tune koi jawab bhi nahi diya...

MAI-jab chidhti hai toh bohot cute lagti hai new girl...

WHAT THE FU****.


jahan muskurate hue kahi thi apni baat maine wahin ek saath nikle the ye teen shock se bhare shabd NITS,SONU aur ANJALI ke mooh se..


ANJALI-O.M.G...YOU,SANVEER AHARYA LIKE HER....


ek mukka mere peeth me jamaate hue kahi thi ye baat ANJALI ne jispar uska naak kheench diya maine...


ANJALI-kab hua ye..aur kaise..!!!ek hafta hi toh hua hai usse aaye yahan..

MAI-waqt ki zaroorat kaam ke liye hoti hai,pasand karne ke liye kisiko ek lamha bhi bohot hai...

ANJALI-oye hoye....

NITS-ghanta oye hoye..saale,yahi mili tujhe...aag hai be puri....

SONU-is kkamine SANVY sse zzyada ggaram ttoh hho nahi ssakti...

NITS-par yaar tere baare me raay GALATH hai uski....

ANJALI-rahe GALATH...yaar,jo karna hai kar bas jaisa aksar hota hai, aashique waale chutiyape se khudko badal mat lena..

MAI-hahahaha...




saamne tere SANVY hai,kisi bhi haalath me kabhi SUDHREGA NAHI...

katl bhi kiya toh kubool-e-ilzaam se kabhi MUKREGA NAHI...

mehendi,mehendi me fark hota hai....

USKA chadha mujhpar toh meet jaayega par jo mera chadha uspar, toh kabhi UTREGA NAHI...












AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ROUNAK DHOLAKIA SANVY SE NIPATNE SE PEHLE APNE FRIEND KO DIMPLE KA BIODATA NIKAALNE KE LIYE BOLTA HAI WAHIN DUSRI TARAF ANJALI,NITS AUR SONU KO REALIZE HOTA HAI KI SANVY DIMPLE KO LIKE KARTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-39

15TH APRIL


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





OHHO BHAIJI...AAJ TOH CHAA GAYA LOUNDA APNA...AKELE HI FAAD KAR RAKH DI TUNE A WAALON KI..


friendly match ke baad ek chair me baith apne pads nikaal rahe ROHAN ko side se hug karte hue bada khush dikh raha tha NEERAJ..

NEERAJ hi kya,pura B khema behadh khush tha aaj...

A section waalon ko aaj ka cricket match haraya jo tha unhone ya phir ye kahun ki one man show ROHAN ne...

ROHAN...

Australia me apne mom dad ke saath lagbhag 1 mahine lamba holiday tour bitaane ke baad finally aaj jab school ka new summer session shuru hue do hafte guzar chuke the,aaya tha ROHAN..

waise aaj kyunki saturday hai,aana nahi chaiye tha usse but kal shaam usse aajke friendly match ke baare me pata chala aur isiliye hi ROHAN aaj school me present tha..

aur uski ye presence vardaan saabit hui uski class ke liye..

toss jeetkar SAM ne A section ke liye batting chuni thi...

but first ball me hi strike par khade opener ne apni gilli udwali thi..

but woh pehli wicket aakhri saabit hui..

first down par aaya NITS jisne SAM ke saath milkar match ke pure 15 overs creeze par nikaal diye...

in 15 overs me SAM ke exact 100,NITS ke 88 aur kul 11 extras ki madad se A waalon ne banaye the 199...

200 ka total mila tha B waalon ko jiska picha karte hue pehle 4 overs me hi unke 5 wickets gir gaye the..

but ek taraf se ROHAN naa sirf tika hua tha balki apne hisse me aaye 13 gendo me 40 runs pel diye the usne aur uska ye form match ke aakhri ball tak jaari raha...

aakhri ball par B waalon ko jeetne ke liye 4 runs chahiye the jo pure hue ROHAN dwara maare ek picture perfect cover drive ke through...

us chownke ki madad se naa sirf ROHAN ne apni team,apni class ko jeeta diya tha balki 200 ke chase me apne bhi nabaad 140 runs pure kiye..

hence,the one man show...


BHAVESH-bhai aaj toh party dega tu..!!!

ROHAN-saalon match maine jitaya hai aur party bhi mai hi dun...

HEY MAN,WELL PLAYED....


ROHAN ki baat par koi kuch kehta ki tabhi ek feminine awaaz padi uske aur baaki bando ke kaano me..

aur jisne ye appreciation di thi,usse dekh jahan ek taraf baaki B waale halka piche hote hue ekdum chup ho gaye the wahin dusri taraf khamosh toh ROHAN bhi hua tha but uske chuppi ki wajah uske aankhon ke saamne khadi woh bemisaal khubsoorati thi jaisi naa dekhi thi uski nazaron ne pehle kabhi...

woh ektak apne saamne khadi ladki ko dekh raha tha jispar..


koi compliment kare toh normally thanks bolte hain..by the way i am DIMPLE...

ROHAN-RROHAN.....


halka hadbadane ke baad khud ko control kiya tha ROHAN ne..


DIMPLE-tumhe naam bataane ki zaroorat nahi hai..

tumhare batting ke waqt lagbhag har stands se tumhare naam ka hi chant ho raha tha...

aur hona bhi chahiye...that was quite a display of batsmanship...

ROHAN-thanks..are you new...???

DIMPLE-haan...

ROHAN-which class...!!!

AA RAHA HUN BE.....!!!!!


ROHAN ke sawal ka jawab deti new girl ke tabhi uske baaju se nikalte hue door khade ek bande ko zor se kahi thi maine ye baat jispar DIMPLE bhi hadbada gayi..

bola jo itne zor se tha maine..

turant palti woh piche aur mujhe piche se jaata dekh bhadak gayi woh..


DIMPLE-hey you.... baat karne ka koi tarika hai bhi ya nahi.. mere kaan ke paas aakar chillaana zaroori tha...

MAI-pehli baat toh mai baat nahi kar raha tha, announcement kar raha tha...

dusri baat mere mooh ke paas tumhara kaan tha toh mai kya karun...!!!

DIMPLE-announcement...kis chiz ki...!!!

MAI-apne wahan tak jaane ki..by the way,tum kyun interested ho...!!

DIMPLE-mai aur tumhare maamlon me interest...!!!get i life dude...

MAI-kaun si dukaan me milti hai life bata do...i will get it..

DIMPLE-you....!!!just buzz off...

MAI-ab toh nahi jaa raha mai kahin...!!!aur ROHAN,kya haal chaal.. waise badhiya khela aaj tu...


apne dono haath taayi kar relax hone ke andaz me khada ho chuka tha mai..

wahin ROHAN jisse mere aur new girl ke beech ho rahi jhadap ke dauran bata diya tha uske friends ne ki A section se hai woh aur ye sun us new girl ke liye jo ashlil feelings paida ho rahi thi uske andar,unhone theek se ufaan maarne se pehle hi dum tod diya tha..

aur tabhi ki maine uski taarif jisse sun hadbada gaya tha woh...


ROHAN-tthanks man...tu nahi khela aaj...

DIMPLE-ye...bat pakadna bhi aata hai isse..

MAI-actually mai stumps se batting karta hun..any problem...!!!

DIMPLE-agar mujhe problem hui hoti toh tum ab tak dikhayi dena band ho chuke hote...

MAI-wooo...ab tak toh theek se jaana bhi nahi hai tumne mujhe aur itna asar karne lag gaya mai...

door raho new girl...lath GALATH naa laga baithna...


pure convo ke dauran jahan new girl ki aankhein ghusse se ghoor rahi thi mujhe wahin meri aankhon me ek thairav tha..

ek aisa thairav jo new girl ke ghusse ko bin uski ijazat ke dabane laga tha..

aur us aakhri baat ko kehte waqt jab mai halka kareeb hua new girl ke toh aisa laga usse maano khudke upar se apna control chhutne laga ho uska..

aisa kabhi hua nahi tha new girl ke saath aur isiliye ek second ke liye aankhen band kar dimag ko jhatka usne aur..


DIMPLE-ye new girl kya hai...!!! DIMPLE naam hai mera...

MAI-purani toh nahi ho jaati tum usse...you are the new girl...toh waise hi bulaane me kya harz hai...

HEY GUYZZZ... WHAT'S UP...!!!


mere baat se ek baar phirse frustrate ho kuch bolne ko hui thi new girl par tabhi hamare paas se ubhri ye nayi awaaz...

civil dress me ek 6 feet lamba hatta katta aur smart banda tha ye jo apne kuch friends ke saath hamare paas aakar rooka tha...

ROHAN aur uske friends jo halke dar aur confusion ke beech meri aur DIMPLE ki tu tu mai mai dekh rahe the,unka bhi dhyan is naye group ki taraf gaya...


ROHAN-ROUNAK DHOLAKIA....

ROUNAK-you know me...!!!!

ROHAN-junior level state champ ho tum.. ofcourse i know you..


kaafi garm joshi se haath milaya tha ROHAN ne ROUNAK se...


ROUNAK-same baat tumhare liye bhi kahi jaa sakti hai waise...you yourself are quite a famous sportsman aur ab reason bhi pata chal gaya..

bohot achi batting kar lete ho tum...

ROHAN-you saw the match...!!!???

ROUNAK-final glimpses jisme single handedly baazi palat di tumne.....


aakhri baat nazar ko ghumate hue DIMPLE ko dekh kahi thi ROUNAK ne..


ROHAN-waise yahan kaise...???

ROUNAK-is baar interschool boxing championship hamara school host kar raha hai..

tumhari PRINCI ko invite dene ke liye hamari PRINCI ne mujhe kaha tha..

ROHAN-oh..nice...


baaton ke dauran lagatar nazar jaa rahi thi ROUNAK ki DIMPLE par...

aakhir yahan as in ROHAN ke saamne isiliye hi toh aaya tha woh..

ek aur reason bhi tha...mai..

PRINCI ko invite dene ke baad jab idhar ground ki taraf aaya woh toh nazar padh gayi thi uski stands me baithi DIMPLE par...

aur uske saath aaye doston me se do jinki thukayi ki thi pichle hafte maine,unhone mujhe dekh aur pehchaan liya tha..

aur ab jab uski hawas aur ghusse ke dono kaaran ek hi spot par the,toh aise me yahan aana toh uska laazmi hi tha...


ROUNAK-hie..ROUNAK...


in saari baaton ke beech ek baar mujhe ghoorne ke baad palatkar jaane hi lagi thi new girl ki tabhi ROUNAK ne apna haath uski taraf badha diya...


DIMPLE-hello... DIMPLE....


new girl ke naazuk haath ROUNAK ke bade hatheli me jaise chhup se gaye the aur us hatheli ko chhu new girl ke pure jism ko mehsoos kar liya tha ROUNAK ne...

waise toh face smiling aur straight rakha tha usne par chuppi nahi thi uski aankhon ke zariye man me basi gandagi mujhse...

anyways, DIMPLE se hand shake kar meri taraf palta ROUNAK aur..


ROUNAK-hey buddy...tum bhi sportsman ho...!!

DIMPLE-arre pucho mat...super strong...


taunt maara tha new girl ne mujhe jispar dekhne laga mai usko...


ROUNAK-really...tum bhi boxer ho...!!!

HAHAHAHAHA...


meri taraf haath aage badhate hue kahi thi ye baat ROUNAK ne jispar jaise hi usse hand shake kiya maine,apna grip strong karne laga woh..

is beech ROUNAK ke mujhe boxer kehne par hasne ke baad..


DIMPLE-super strong as in mooh chalaane me...


ROUNAK apni hatheli ka grip continous pressure ke saath halka halka badhane laga jispar kaha toh kuch nahi maine par kuch seconds baad apni grip thodi aur dheeli kar di maine..

mere aisa karte hi ek smile naach uthi ROUNAK ke face par..

REASON....

hand shake ke dauran grip loose karna surrender karne jaisa hota hai..

anyways, kuch seconds ke baad grip loose karte hue mera haath release kar diya ROUNAK ne...


ROUNAK-its is really nice meeting you....

MAI-SANVEER... you too..

KYA HO RAHA HAI...????


SAM tha ye jo EKPREET, RAJAT,NITS, SONU ANJALI,RASHI,NAISHA aur KHANAK ke saath hamare paas pahuncha tha...


KHANAK-you are ROUNAK, right...from PRINCE...

ROUNAK-have we met...!!!

KHANAK-i am an ex student...

ROUANK-really..great then..hey guyz...


baari baari sabse haath milaane ke beech apne SIRIUS me aane ka reason bataya ROUNAK ne jiske baad..


ROUNAK-formal invite toh sirf tumhari PRINCI ke liye the but informally,on a personal basis,mai tum sabko invite karta hun,ek nahi do occasions par...

SAM-matlab...!!!

ROUNAK-matlab ek occasion toh boxing meet hua par usse pehle aaj shaam tum sabko VIBE TRIBE(club) aana hoga...

its my birthday and i am throwing a party there...

SAM-happy birthday brother but...

ROUNAK-no no no no no...no buts... dekho yaar,PRINCE aur SIRIUS hamesha rivals ki tarah mile hain...

for a change,friends jam bhi toh hona hi chahiye....what say ROHAN...!!!


A aur B section saath me clubbing aur party karen,its an impossible plan..

ROHAN se naa bolne ke kisi bahane ki ummid kar rahe the A waale...


ROHAN-i dont have a problem...i am in..


ROHAN ki baat sun A waalon ke saath uske friends bhi hairan ho gaye the but kisine kuch kaha nahi..


ROUNAK-great...so guyz,aaoge na tum sab...???

SAM-ok,i guess...


hum sabki aur khaaskar mere taraf dekhte hue jaise permission si maangi thi SAM ne...

SAM hi kya,baaki sab bhi mujhe hi dekh rahe the...

afterall B waale bhi saath hone waale the wahan aur saath hi saath PRINCE waale bhi...

risk waali situation thi aur aise me woh sab trust bhi sirf mere decisions ko karte the siway ek ke...

new girl jisne sabki nazar me mujhe diye authority ko pehchan liya tha, pasand nahi aayi usse ye baat..

no body takes decision on her behalf aur mai toh tha hi uski nazar me ek looser...

waise toh is get together aur party me zara sa bhi interest nahi tha usse but mere chakkar me mood badal gaya uska..


DIMPLE-i am in too..

NAISHA-DIMPLE...!!!!

DIMPLE-what...!!!

MAI-we are going....


new girl aage kuch kehti ki tabhi mere faisle par chup ho bas ghurne lagi woh mujhe...


ROUNAK-awesome...toh phir 7 pm...VIBE TRIBE..dont be late...

KHANAK-ek second guyz...we are underage... entry kaise milegi club me...???

ROUNAK-babes..i own that club...so chill...baa-izzat aur bindaas entry le paaoge tum sab..

ok then,see you there..


ROUNAK aur uske friends nikal chuke aur hn sabke just baad hum sab bhi apni class ki taraf badh chale...


NEERAJ-what the hell ROHAN...!!!un A waalon ke saath clubbing ke liye haan bol diya tune...


itni der se man me chal raha sawal aakhir puch hi liya NEERAJ ne...


ROHAN-correction... clubbing maine PRINCE waalon ke saath karne ke liye haan kaha hai...A waale toh random hain bas...


BHAVESH-par honge toh woh sab bhi wahan... SANVY bhi..bhai, uske saath kya saamne bhi party karna nightmare jaisa hai hamare liye...

ROHAN-SANVY ki tention ab hamari nahi us ROUNAK ki hai..and i think ki woh usse handle bhi kar lega...

aakhir boxing champion hai banda...

BHAVESH-hain..!!!abbe ROUNAK ka SANVY se kya panga jo woh bhidega usse...

ROHAN-panga toh hai.. jaise haath daba raha tha ROUNAK SANVY ka,that was not normal..

and for the first time in my life,maine SANVY ko retaliate karte nahi dekha..guards jaise down se the uske ROUNAK ke aage...

ab asal maamla kya hai,ye toh shaam ko hi pata chalega...

ye opening hai guyzz...un A waalon and most importantly, SANVY ki haalath bigadne ki opening...

NEERAJ-aee bhai..bas involve hone ke liye mat bolna..

chaahe kitna hi dhaansu plan kyun naa ho but agar SANVY involved hai toh i am out..

BHAVESH-tu kya hum sab out hain...

AJAY/AMIT-true...

ROHAN-chill guyz..hume kuch nahi karna..jo karna hai woh PRINCE waale karenge..

woh ROUNAK karega...hum toh spectators hain bas..show enjoy karenge...

NEERAJ-phir theek hai...

ROHAN-alright then..bag toh laaya nahi mai...so sidhe ghar nikal raha... direct shaam ko milte hain,VIBE TRIBE me...




PLACE-VIBE TRIBE




OHHHH...JAB BHI DELHI JAATA HUN TOH CLUBBING KARTA HI HUN BUT APNE HI SHEHER ME ITS GONNA BHI MY FIRST VISIT TO A DISCO THEQUE....


black sneakers,brownish casual trouser,upar black party jacket jiske andar ek jagmagati red tshirt jhaank si rahi thi,pehne VIBE TRIBE ke third floor entrance ke bahar khada bada cool dikh raha tha SAM...

EKPREET aur RAJAT ne bhi kuch kuch SAM ki tarah hi outfit pehna hua tha..

wahin unke saath aayi RASHI aur NAISHA ne ghutno tak aati red aur dark green sparkled sequined party dress pehni thi jisme stunning dikh rahe the dono...

nazar unki bhi apne saamne jagmagati vibe tribe ke board ke taraf hi thi...


VIBE TRIBE....


DEHRADUN CENTRAL AVENUE BLOCK me bani ek teen manzila imaarat jiske ground floor par fast food centre, first floor par restuarant aur dusre floor par bana hua tha ek shaandar disco theque..

bohot popular tha ye club youngsters ke beech...waise toh normally har din rich youth brigades ko bheed lagi rehti thi yahan but saturday aur sunday me yahan hone waale rush ki baat hi kuch aur thi..

cover charge hone ke baawjud 7.30 pm tak pura club jam packed ho jaata tha aur aaj ka nazara bhi koi alag nahi tha...

abhi lagbhagh 7 hi baje the par NO MORE ENTRIES ka board club ke entrance door ke bahar lag chuka tha...


RAJAT-dont be to sure...ho sakta hai aaj bhi pehla visit naa ho paaye...


no more entries waale board ki taraf ishara karte hue kahi thi ye baat RAJAT ne...


NAISHA-hey DIMPLE..wow..now that's a cool casual....


RAJAT ki baat par kuch kehta SAM ki tabhi lift ka gate khula aur entry hui DIMPLE ki aur usse dekh jahan NAISHA ne taarif ki uski,boys ke dil ka haal unki aankhein bayan kar rahi thi jo DIMPLE par atak si gayi thi...

NAISHA aur RASHI se alag casual pants ke upar ek black fitting top pehna hua tha usne and a red leather jacket to go with it..

chehre par behadh halka make up jo us rukhsaar par hamesha dikhne waale noor se sharmshar hokar pehle hi chhup sa gaya tha,gazab ki dikh rahi thi DIMPLE...

VIBE TRIBE ke bheed ka ab tak hissa bhi nahi bani thi woh par personality itni zyada aakarshan se bhari hui thi uski ki"kahan pade ho chakkar me, koi nahi hai takkar me" waala muhavara abhi se hi fit hone laga tha uspar...


RAJAT-this girl is something else man..i mean committed hun mai but still nazar hatana mushkil lagta hai jab aas paas hoti hai ye...

EKPREET-agreed man....


DIMPLE jo boys ko hie karne ke baad NAISHA aur RASHI se baat karne lagi thi, chhup chhup ke usse hi taad rahe the RAJAT,EKPREET aur ye dekh sir shake karte hue has raha tha SAM...


SAM-there you go...abhi aa rahe ho be...


ek baar phir lift open hua jisse bahar nikle mai,NITS,SONU,ANJALI aur KHANAK jiske liye yahan aane ki permission SHILPA AUNTY se har baar ki tarah mujhe hi leni padi thi...


ANJALI-shukr manao,aa gaye..SAN ko dekhne ke baad isse chhodne ko taiyar hi nahi thi SHILPA AUNTY...

NAISHA-koi na chhode aaj isse toh... looking very handsome SANVY...


baaki boys se alag ek simple yet trendy white shirt pehni thi maine with a denim blue jeans to go with it...

NAISHA ke compliment ko EKPREET ne bhi back kiya aur is dauran DIMPLE ne bhi mujhpar ek sarsari nazar daal eye dusri taraf roll kar liya tha...


NITS-sambhal be RAJAT...behek rahi hai bandi teri...

NAISHA-shut up... compliment me bhi faaltu angles hi nikaal tu bas..

NITS-hume toh naa diya tune kabhi koi compliment...

NAISHA-uske liye banana bhi padta hai compliment ke laayak..

MAI-tum logon ko naye bouncers oppoint kiya hai kya club waalon ne...!!!!bahar kyun khade ho...


NITS aur NAISHA ki behes ko mere sawal ne fullstop laga diya tha...


SAM-abbe hum sab bhi abhi abhi hi pahunche hain...

MAI man me-ghante ka champion..chutiya hi rahega saala...yahan hum sabko wait karwakar apni authority aur superiority show kar raha hai woh ROUNAK aur in sabka ganit hi kharab ho rakha hai...


camaras ki taraf halka sa dekhte hue sochi thi maine ye baat jiske baad..


MAI-G.F ka wait naa karun mai kabhi aur idhar chowkidar banaye hua hai woh birthday boy hume..

NAISHA-G.F...!!!ye kab bani....???

MAI-phir wahi baat...jazbaat ko samajh chhori....

hoti toh bhi naa karta mai phir yahan rukne ka sawal hi naa uththa...chala mai...


HEY GUYZZZ..SORRY YAAR THODA LATE HO GAYA...ANDAR SCENE ITNA CAOTIC HAI KI KYA BATAUN...


club ka woh band door khula jisse bahar nikalte hue hamare paas aakar ruka ROUNAK...

par apni baat kehte waqt nazar uski ek pal ke liye DIMPLE par theher hi gayi thi...

kisi tarah apne jazbaat aur pant me bane tambu ko control kiya saale ne...


SAM-no worries man...suna hai humne ki saturday sunday yahan ka mahoul kuch zyada hi crowdy hota hai...

ROUNAK-aur happening bhi.. chalo,time to feel the thrill..


waise ROHAN aur uske saath aaye friends toh pehle hi aa chuke hain..


ek host ki tarah hume guide karta hua club ki taraf badh gaya woh aur hum sab bhi ho liye uske piche..

ab club owner tha woh isiliye STAG aur COUPLE waala chutiyapa bhi nahi hua hamare saath...

bouncers ne humare liye turant entrance door khol diya tha...


ANJALI-waise GALATH nahi thi NAISHA...you are looking hot... infact ,jabse thoda thoda health gain karna shuru kiya hai tune, sexiness badhne lagi hai teri...

and trust me,agar SAM aur us ROHAN ki tarah bulk up ho gaya naa tu toh jaw line aisi hai teri ki puchegi bhi nahi koi bandi un dono ko...

upar se teri aankhein.ufff..ladka hai tu phir bhi natural kajal sa hai teri eyelashes me...

they are like cherry on the cake..


bas darkhwaast itni hai ki jab jama hone lage ladkiyan toh hume naa bhul jaana sanam....


halki flirting tone me chheda tha mujhe ANJALI ne jispar bas smile kar diya maine..

buddies ki tarah ek dusre ke kandhon par haath daal club me enter hue the mai aur ANI...


ANJALI-wow.....!!!!this place is actually happening...!!!


ek retro mix me kareeb 500 se thode zyada youngsters thirak rahe the is waqt disco me...

hamare group waale bhi enter hote saath groove karne lag gaye the..

NITS toh ek naye dance form ko janm deta hua sharir ko ajeebogarib tarah se hila macchli dance karne laga tha jisse dekh sab hasne lage the..


MAI-chutiya hi rahega ye...

ROUNAK-so guyzz..what do you think....!!!


ROUNAK ko follow kar halka halka thirakte hue sab pahunche club ke west edge par bane private room ke paas jo khula hua tha..

ek round gigantic sofa set rakha hua tha us room me aur uske just aage ek big glass table rakha hua tha..

har side me kuch couches bhi pade hue the...

wahin is waqt us private room me PRINCE ke kuch students ke saath B section ke lounde chilled mocktails ka lutf utha apni apni jagah me khade khade naach rahe the..


ROUNAK-so guyzz..floor hit karna hai ya room me chill karoge...!!!

NITS-room ne hi rehna hota toh apna ghar kahan se bura hai..

apan toh floor me hi jaayenge bhai...

RAJAT-true...

ROUNAK-hahaha...ok then... let's hit the floor...

common girls...


girls bol new girl ke baaju me sarak gaya tha ROUNAK...

anyways, hum sab pahunche club ke centre point me jahan sabse zyada bheed thi...

"jisne bhi party hai karni,aa jaao mere ghar ke bheetar"se shuru hote hue apna khud ka mix kiya ek bada hi cool party mash-up baja raha tha D.J jispar thirakne lage hum sab...

SONU waise toh aise saarvjanaik atrangi naach ka hissa banta nahi par aaj mood uska bhi smooth tha..

NITS ke saath dance kam ucchal kood zyada me laga hua tha woh..

wahin mai aur ANJALI apni hi masti me ek dusre ko chidhane waale steps me lage hue the..

the couples,RAJAT aur NAISHA fast beat bajane ke baawjud kisi romantic track par dance karne jaise saath saath hil rahe the..

SAM, EKPREET,KHANAK aur RASHI bhi unke aas paas hi the aur bachi DIMPLE..

mere just opposite meri peeth se halka piche khudme hi halki halki groove kar rahi thi woh..

par is beech jitne bhi loundo ki nazar padi uspar, single ya committed,sabhi lagatar checkout kar rahe the usse...


ROUNAK-i hope you are enjoying...


loud music ki wajah se DIMPLE ke paas aa uske kaano me zor se pucha tha ye sawal ROUNAK ne jispar haan me bas sir hilaya DIMPLE ne...


ROUNAK-well i must say..

DIMPLE-hey..watch for your steps...


ROUNAK ki baat aadhi hi reh gayi kyunki tabhi dance karte hue mera pair tezi se piche jahan new girl ka pair tha, chala gaya...

pair hit karte hi mudi meri taraf woh aur mujhe dekh ek baar phirse bhadak gayi...


DIMPLE-you...kya aisa koi kaam hai jo theek se kar sakte ho tum..!!!

MAI-kar sakta hun naa,ignore tumhe...


jahan ye bol wapas saamne mood gaya mai wahin mood off hone ke kaaran ROUNAK se excuse le mocktail counter ki taraf badh gayi new girl..


ANJALI-wash room se aati hun...

MAI-cool....


ANJALI ke jaate hi mai bhi NITS aur SONU ki taraf mood chuka tha...

par ROUNAK jiski convo meri wajah se adhuri reh gayi,new girl aur ANJALI ke jaate hi woh badha meri taraf..

is waqt meri peeth thi uski taraf..mere right shoulder par zor se haath rakhne ke liye uthaya apna haath usne..


DHABBBB....AHHHHH....WHAT THE FUCK....

ROUNAK ka haath padne hi waala tha mere shoulders par tabhi mai thoda left side me sarak gaya..

wahin mere baaju me ek ladki dance karte hue thoda tezi se hil rahi thi par tabhi usse laga jaise kisine usse left ki taraf kheencha ho..

jab tak woh left dekhti,ek haath uske left shoulder par aakar hit ho gaya...

tagda pain utha uske shoulders par..

apna shoulder pakde woh ladki neeche baiththi chali gayi...

wahin ye sab dekh hadbada gaya ROUNAK aur turant khisak liya woh...


ANJALI-DIMPLE...ek sawal puchun...


SANVY ko wash room ka bol DIMPLE ke paas joki Cinderella (mocktail) pee rahi thi,pahunchi thi ANJALI...


DIMPLE-sure..whats up...???

ANJALI-problem kya hai tumhari SANVY se...???

DIMPLE-excuse me..!!

ANJALI-you heard me...mai dekh rahi hun ki jabse SIRIUS aayi ho tum, interactions par dhang se baat nahi karti tum usse..

kisiko like karna naa karna,ye tumhara personal preference hai but insult karne ka hakh kisne diya tumhe...

club me hone ke baawjud awaaz thodi loud thi ANJALI ki..

upar se jaise confront kar rahi thi woh DIMPLE ko, pasand nahi aayi ye baat usse..

but kahin na kahin baat sach bhi thi ANJALI ki.. reaction thoda over the top tha DIMPLE ka..

battamizi kabhi nahi SANVY ne usse..haan behes ki thi par us behes ki shuruat hamesha DIMPLE ki taraf se hi hota tha...

yahi sab soch rahi thi DIMPLE...wahin ANJALI ko bhi apna tone harsh laga tha isiliye..


ANJALI-listen..sorry for sounding rude....but mujhe lagta hai tumhara ravaiya GALATH hai...


apni baat bol nikal gayi ANJALI aur chhod gayi apni soch me goom DIMPLE ko...

wakayi harsh rahi thi DIMPLE SANVY se... but kyun...!!! isiliye kyunki woh har chiz taken for granted leta tha yaa phir isiliye kyunki woh aisa pehla banda tha jiski aankhon me DIMPLE ne khudke liye taarif nahi dekhi thi..

pehla shaksh jisne usse impress karne ke liye, khud ko cool show karne ke liye kuch nahi kiya tha..

completely natural and 100 percent authentic...


ROUNAK-hey gorgeous...yahan akeli baithi kya kar rahi ho tum...!!!


DIMPLE ko uski soch se bahar nikaalte hue uske saamne baitha ROUNAK...


DIMPLE-nothing..just...

ROUNAK-oh yeah.. drinking cinderella is actually nothing..

rooko,mai kuch order karta hun tumhare liye...you will love it..

DIMPLE-arre, uski zaroorat nahi hai...cinderalla is fine...

ROUNAK-no it's not...aur waise bhi, birthday hai mera aur birthday boy ko mana nahi karte..

common yaar,meri choice ko ek baar try karke toh dekho...just a sip..maza naa aaye toh mat peena..

DIMPLE-nothing hard, right...???

ROUNAK-arre nahi yaar..pure mocktail...buddy bana mera waala...


club ke tapster se kahi thi ye baat ROUNAK ne jispar sir haan me hilaate hue counter ke last edge ki taraf badh gaya woh...


ROUNAK-so,new in DEHRADUN...!!

DIMPLE-tumhe aisa kyun laga ki new hun mai...!!!

ROUNAK-oh come on..tumhari jaisi personality zyada waqt tak kahin rahe toh andho tak ko dikh jaayegi...

DIMPLE-hahahaha... charming...nice...waise agar taarif hai toh thankyou lekin agar close hona chah rahe ho mujhse toh sorry...

koshish bekaar hai...i am not interested...

ROUNAK-really..!!!waise interest kisme nahi hai..date karne me ya mujhme..

DIMPLE-tumme...


bilkul sapat face ke saath straighy kahi thi ye baat DIMPLE ne jispar hairan hua ROUNAK..


ROUNAK-puch sakta hun kyun..??

DIMPLE-ghuma phirakar bolna aata nahi mujhe aur jo sach bola toh bura lag jaayega tumhe...

ROUNAK-i like honesty...

DIMPLE-ok then..you are good enough...laayak aur takkar ke nahi ho tum mere..

ROUNAK-excuse me...!!!


ab ye baat hit kar gayi thi DIMPLE ki ROUNAK ko.....


ROUNAK-shayad tumhe pata nahi hai ki mai....

DIMPLE-boxing champion ho..i know..shayad uttarakhand ke junior level me bhi best..

aur is achivement ki khushi aur ghamand dikhta hai tumhare face par..

but for me,ye koi achievement hai hi nahi..

otherwise mat lena par DELHI se hun mai aur wahan tumhare jaise champions har moholle me chaar milte hain...

on the other hand, acadamics bolo ya sports..

different genres me paanch baar national champion aur winner reh chuki hun mai ab tak..

last year jo result tha mera,woh all india top five me se ek tha..

itne sab ke baad bhi still i feel apne limits ka aadha bhi touch nahi kar paayi hun mai..

ab tum khud batao,kahan se match ho tum mere..naa ho aur jo attitude hai tumhara, ho bhi nahi paaoge...


apni cinderella ka aakhri sip lete hue kahi thi ye aakhri baat DIMPLE ne joki ROUNAK ke liye ek aisi insult thi jo pehle kabhi mehsoos nahi ki thi usne..

koi ladka hota toh ab tak mooh tod chuka hota woh but DIMPLE uske liye woh dish thi jisse chakhne ke liye har keemat de sakta tha ROUNAK aur filhal woh keemat thi bardasht..

woh bardasht jo DIMPLE ke mooh se nikli insult ke baad bhi usse shaant rakhe hue thi...


ROUNAK-wooo...kuch zyada hi straight forward ho tum..

DIMPLE-pehle hi bola tha maine..bura lagega tumhe..

ROUNAK-aur maine bhi kaha tha ki i like honesty...isiliye woh sab chhodo and try this...


ek shining red colour ki drink jo tapster ne ROUNAK ke paas laakar rakh diya tha,usse badhaya usne DIMPLE ki taraf...


ROUNAK-this is called...

DIMPLE-SHIRLEY TEMPLE... mixture of ginger ale and grenadine..

in dono ingredients ki wajah se hai iska ye shining red colour...

but most importantly,its garnished with marachino cherry jo iske flavour ko ek alag hi non sticky sugary taste deta hai..

ROUNAK-wow... drinks ki bhi knowledge hai tumhe...!!!i am impressed..


ROUNAK ke compliment par kuch kaha nahi DIMPLE ne aur drink ka sip lene ke liye glass hold kar liya.

aur aisa hone par ek lustful excitement dikhne laga tha ROUNAK ke face par..

REASON...

kuch der me pata chal jaayega..

glass hold kar SHIRLEY TEMPLE ka first sip lene hi waali thi DIMPLE par tabhi..


DIMPLE-what the hell...

ROUNAK-fuck...


NITS ke saath masti karte hue ulta hokar backside badh raha tha mai aur tabhi takkar ho gayi meri new girl se..

jhalak gaya woh pura Shirley temple ka glass aage ki taraf aur sidhe ROUNAK ke kapdon me jaakar gira...

kuch drink ki bunde uske mooh me bhi chali gayi thi...

ghusse se bhar utha tha ROUNAK jo mujhe dekh aur badh gaya tha..

waise ghussa toh new girl bhi hui thi..kuch der pehle ANJALI se hui convo me jo guilt feel kiya tha usne,woh mujhe dekh gayab hi ho gaya tha...


MAI-oops..so sorry yaar..mai dance kar raha tha isiliye dhyan nahi raha..

DIMPLE-to hell with your dance.. koi kaam dhand se nahi kar sakte tum...

MAI-arre kaam karne thodi naa aaya tha idhar mai..

sorry buddy...tutututu..pura drink gir gaya yaar tere upar toh.. koi baat nahi,abhi taaza gila hua hai naa,clean up karle,daag nahi baithega...

washroom toh pata hi hai hoga.. ofcourse pata hi hoga,tera hi toh club hai...

aur agar phir bhi reh gaya daag toh bhi tention nako lene ka.. paas hi jhakanlaal dress waale ki dukaan hai.

tere size ke badhiya badhiye t-shirt 100 me milte hain udhar...mai gift karunga.. afterall birthday hai tera...


mujhe dekh man hi man ghusse se ubaal maar raha tha ROUNAK par ek toh ye ussika club tha aur upar se invite bhi hum sabko ussine kiya tha, isiliye kisi tarah khudko control me rakha hua tha usne..


ROUNAK-its ok buddy..i will manage..


ye bol turant washroom ki taraf badh chala tha woh...


MAI-dekha...ye hota hai reaction...drink uspar giri par phir bhi kitna cool behave kiya usne..

aur tumhare tevar dekho.. accidently hua sab phir bhi bhadak rahi ho..

DIMPLE-usse pata nahi hai naa ki kitne bade looser ho tum...ek advice hai...just stay away...


ghusse me pair patakti hui nikal gayi woh...


NITS-drink pee liya hota toh idhar hi stay ho jaana tha madam ka.. without clothes...

MAI-kahan hain baaki sab...!!!

NITS-B waalon ke baaju waale room me baithe hain..

MAI-drink ka drama fail hua hai ROUNAK ka..par easily give up nahi karega woh..

koi nayi noutanki kare,usse pehle nikal sabko lekar..waise bhi SHILPA AUNTY ko bas 2 ghante ka bola tha maine...

NITS-aur tu...!!!

MAI-aata hun..


meri baat ka matlab samajh muskurate hua nikal gaya NITS..

wahin Shirley temple joki ek gaadha drink hota hai,usse clean up karne me thoda time laga ROUNAK ko..

is dauran ek taraf SANVY ko gaali bakte hue aur dusri taraf DIMPLE ko kisi tarah yahan club me rokne ka plan banaane laga ROUNAK..

clean up ke beech kuch soch turant nikla washroom se woh aur badh chala counter ki taraf is ummid ke saath ki ab bhi wahin hogi DIMPLE..

par is pure waqt me halke halke ladhkhadane lage the uske kadam...

halka nasha aur khumari chadh chuki thi ROUNAK ke dimag me...

khair,pahuncha woh counter me par dikhi nahi usse DIMPLE wahan...

turant private rooms ki taraf badha woh jahan ek room me toh B section waale dikh gaye usse par baaki saare rooms vacant the..

aakhri room ko bhi khaali dekh ghusse se fat hi pada tha ROUNAK ka dimag..


ROUNAK-shit....

MAI-koi message hai toh de de..de dunga usse mai..


piche hi khada tha ROUNAK ke mai..palatkar jaise hi dekha usne mujhe toh mere prati jo uska ghussa tha,woh dobara bhadak utha...


MAI-G.H.B....gama hydroxybutyrate...nice but common choice...ab tak kitni ladkiyon ko pila chuka hai isse..

ek choti si shishi jisme aadhi bachi liquid saaf dikh rahi thi,woh saamne kiya maine ROUNAK ke aur jisse dekh uska ghussa hairangi me badal gaya...

G.H.B ek depressant hai...high hone ke liye club aur rave parties me youth khud istemaal karte hain iska..

plain water ki tarah dikhta hai ye jo kisi bhi drink ke saath badi asaani se dissolve ho jaata hai..

agar thoda zyada le liya jaaye ye toh behosh hona confirm hai..

apne tabster ke through issi ko milwaya tha DIMPLE ke drink me ROUNAK ne jiske kuch boond uske hi mooh me chale gaye the..

isiliye hi ladhkhada raha tha woh...


ROUNAK-kya bakwas kar raha hai..!!

MAI-koi nahi hai yahan par..sharafat ki noutanki band kar aur dhyan se sun meri baat..

ladki pataani hai toh waise pata jaise patayi jaati hai.. sidhe aur authentic tarike se...

ye chhiltapan agar dobara dikhaya toh woh haal karunga ki paachan kriya ka bhugol badal jayega tera..

khaaye gaand se aur nikaalega mooh se...

ROUNAK-sahi bola tu..bohot hui sharafat..aur tujhe toh pelna hi tha mujhe...


galti ki jo yahan private room me akela hi milne chala aaya tu mujhse..teri toh cheekhen bhi naa sun paayega koi...


apna typical boxing stance lete hue ek ke baad ek kayi mukke swing kiye ROUNAK ne mere face par jisse badi asaani se dodge dene laga mai...

aur jab haath chalana kaam nahi aaya uska toh frustrate hokar pair ghuma diya usne par tabhi..


DHAKKKK...AHHHHH....

apne ghutne se ROUNAK ke foot ko block kiya maine aur ussi pal apna woh pair ghuma diya maine..

leg slap pada tha ROUNAK ke face par jispar halka chillate hue peeche sofe par gira woh..

nashe me toh tha hi woh halka halka..kisi tarah wapas khada hua woh aur phirse badhne laga meri taraf..

DHAKKK..

tezi se aage badha mai aur uske hand swing ko block kar ek palm attack kiye stomach me uske..

behadh napa tula but effective hit tha ye jiske padte hi apna pet pakad jhukta chala gaya ROUNAK..

BHAKKKK..

agle hi second ulti nikal chuki thi uske mooh se jiske baad mooh saaf karte hue wapas uthne laga tha woh but usse kandhe se pakad dhakka diya maine jispar wapas sofe par jaakar gira ROUNAK..


MAI-asal birthday 8 January ko aata hai naa tera..agar dobara koi cheap harkat ki toh birthday toh aayega par manane ki condition me nahi hoga tu...


meri baat sun hairan ho gaya tha ROUNAK...kundali thi mere paas uski,jaan chuka tha woh but jaisa ki hota hai,ghussa,ahankar buddhi ko brasht kar deti hai logon kk..

yahan bhi wahi haal tha...


ROUNAK-chhodunga nahi tujhe saale aur woh loundiya...usse toh mai..


MAI-SHHHHHHH....kuch aisa naa bol jaana jiske baad kuch bhi bolne ke liye zubaan hi naa rahe..


jitni tezi se wapas uske theek saamne aakar khada hua tha mai,hadbadate hue bilkul chup ho gaya tha ROUNAK...


MAI-aakhri baar bol raha hun..stay away,kyunki...



is baar baksh raha hun,ummid mat karna ki agli baar bhi CHHOD DUNGA MAI...

tere hi milkiyat me teri kabr KHOD DUNGA MAI....

tum jaiso ka baap hun mai aur baap se hoshiyari nahi karte warna..

jisne jana nahi,teri us maa ko bhi CHOD DUNGA MAI....











AAJ KE LIYE ITNA HI...









AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ROHAN APNI CLASS KO A SECTION KE KHILAF KHELE MATCH ME APNE DUM PAR JITWA DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF CLUB ME SANVY ROUNAK KO KUCH BHI GALATH NAA KARNE KE LIYE WARN KARTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-40

18TH APRIL


CITY-DEHRADUN

PLACE-36TH MALL





CHAL BHAI...FINALLY TERA 19TH CENTURY WAALA PRACHIN JEEVAN KHATM HONE WAALA HAI...


mall me enter karte hi apni bakwas shuru kar di thi NITS ne.

waise toh bakwas ka kota ghar se nikalte ke saath hi shuru ho gaya tha uska par mudde waali bakwas ab chaalu ki thi usne..


SONU-hhaan bbhai...ttere sse zzyada ttoh hhum exccited hhain kki ffinally ttu mmobile lle rraha hhai...

Vvivo 1901 hi utthana hhai nna..

MAI-yup..second floor par hai store...

NITS-tu paise mujhe pakda saale..warna pata nahi kab mood badal le apna....

aisa naa ho ki store me kadam rakhte hi"phir kabhi lenge" bolke manhusiyat faila de tu...

MAI-abbe nahi bhi liya toh kya ho jaana hai.. itne time bina mobile ke hi toh chala hun mai...

NITS-tu chala hai beta par hume toh doudna pada hai naa..har program ki maa behen ek ki hai tune sirf issi excuse se ki info late se mila tujhe...

par ab naa chalne denge tera woh bahana...mobile toh aaj lekar hi rahega tu...


NITS aur SONU...dono hi one plus ke alag alag models chalate the...

range 30 plus tha dono mobiles ka par mai jo set lene aaya tha,uski keemat 12000 ke aas paas thi but jo excitement in dono ko thi is baat ki woh wakayi dekhne layak thi...

NITS ki baat par bas halka smile kiya maine aur is beech lift se naa hokar accelerator stairs par chadh gaye hum..


MAI-CHUTKI....


bohot kam hota hai aisa jab awaaz meri tez aur excitement se bhari hoti hai jo is naam ko lete waqt hua tha..

REASON..

NIHARIKA SHRIVASTAV urf chutki..SONU ki behen..standerd 3rd me hai ye abhi.. choti,gol matol, bilkul kisi barbie doll ki tarah dikhti hai..

SONU ki hi tarah isse bhi stammering ki problem hai...

anyways,chutki ko godh me liye uske aur SONU ke dad KISHORE SHRIVASTAV first floor me lift ke saamne khade the..

SHALINI aunty as in sonu ki mom bhi thi saath me...

jahan mujhe dekh chutki turant utri apne dad se godh se aur doud padi meri taraf wahin uncle aunty bhi mujhe dekh bohot khush ho gaye..

NITS ke parents ki tarah bete se kam nahi tha mai inke liye....


MAI-kaisi hai meri barbie doll....!!

CHUTKI-ttheek hhun bbhaiya...


chutki ke jawab ke beech do baar uske mote mote gaalon ko chum chuka tha mai..


UNCLE-arre pehle batate ki tum log bhi yahin aane waale the toh sab saath me hi aa jaate...

NITS-last minute plan kiya uncle...


uncle ki baat par NITS ne toh jawab de hi diya par mai bas unhe aur aunty ko ghur raha tha.


UNCLE-arre, hamara sher hume hi ghoor raha hai aaj..!!!kya kar diya bhai humne...

MAI-udaas kyun hai chutki...!!!


is pure douran chutki ka face halka dull tha jo obvio mujhse toh chuppne se raha tha...


AUNTY-arre kuch nahi beta...ye toh aise hi.. actually isse..

MAI-kuch chahiye tha jiske liye aapne mana kar diya...


AUNTY ki baat puri ki thi maine jispar bas muskurate hue bas haan me sir hilaaya aunty ne..

ab itne saalon me unhe bhi maalum chal chuka tha ki mere aage koi tark kaam aana hai nahi....


MAI-aap dono jaaiye ghar...chutki ko hum le aayenge...

UNCLE-par beta...

MAI-lift khulne waala hai..jaaiye...


mujhse behes ka koi faayda tha nahi,jaante the ye baat uncle aunty isiliye sir shake karte hue mood gaye woh..


MAI-hmm.. toh,kya chahiye tha meri barbie doll ko...

CHUTKI-aap lle ddoge...

MAI-pakka...


badi khushi aur excitement thi CHUTKI ki awaaz me..chehre ko dullness bhi jaise ek jhatke me gayab ho chuka tha...


CHUTKI-wwoh nna,uss wwaale sshop mme ekk pprincess wwaali ddress hhai,wwoh cchahiye mmujhe...


ek shop ki taraf joki thodi hi door me tha,point kiya chutki ne jispar usse godh me liye hue hi us taraf badh gaya mai...


SONU-bhai wwoh ttoh....


ek haath upar kiya maine jispar aage ki baat andar hi reh gayi SONU ki..

darasal jis shop ki taraf hum badh rahe the,woh ek international kids brand thi,U.C.B as in united colors of benetton..

ab international brand thi toh price range bhi 500,1000 toh hone se raha...

aur isiliye hi uncle aunty ne CHUTKI ko dress nahi dilwayi thi...

SHRIVASTAV GARMENTS naam se ek achi khaasi mid aur low range readymade aur wholesale shop thi SONU ke dad ki par unlike other retailers and wholesalers,fake price tag chipka customers ko chuna nahi lagate the woh...

imaandari se jitna profit lena chahiye,utna hi kamate the uncle..

ab hamare desh me imaandari se izzat toh mil jaati hai par rokde waala department thoda tang ho jaata hai..

agle saal se CHUTKI bhi SIRIUS me admission lene waali thi jiska matlab tha ki per year apne dono bacchon par kareeb 12 lakhs sirf education par kharch karne waale the uncle..

isiliye shopping se lekar har extra kharch par thodi rok lagayi hui thi unhone...


THEIRS YOUR BILL SIR...


pinkish red colour ki v-shape neckline with handmade organza flowers dress ka bill tha ye jiska kul total hua tha 11 thousand...

counter par bill pay kar ek haath me us polly bag ko hold karte hue dusre haath me CHUTKI ko utha liya tha maine..


CHUTKI-tthanks bbhaiya..


ek meethi si puppy di thi CHUTKI ne mere cheeks par..


MAI-arre baap re..ek dress ke badle 1 lakh ki puppy.. profit ho gaya mera toh..ice cream...

CHUTKI- chocolate flavour me...

MAI-double chocolate...


CHUTKI ko godh me liye hue hi icecream joint jo same floor par hi tha,pahuncha mai..

ek wood stool par baithaya maine usse aur order karne chal pada..

wahin ab tak upar se shaant par andar se restless SONU turant mere saamne aakar khada ho gaya...


SONU-ppagal hho ggaya ttha kkya bbe...11 hhazar kki ddress...

ssaale kkabse ppaise jjama kkar rraha ttha ttu mmobile kke lliye aurr aajj jjab ffinally llene kki bbaari aayi ttoh aisse hhi udda diye...

MAI-abbe 1000 bacha hai naa...

SONU-cchup bbe..mmai kkar rraha hhun ddad kko pphone..bbhej ddenge wwoh ppaise online...


apna phone nikaala hi tha SONU ne ki usse pakad wapas uski jeb me daal diya maine..


MAI-mobile lene se utna satisfaction nahi milta mujhe jitna CHUTKI ke liye dress lekar mila hai aur mere liye wahi matter karta hai..

SONU-ppar bhai..

MAI-chup be...apne paise se kuch bhi karun mai,tere ko kya karna hai...

waise bhi gift maine...

teri nahi,meri behen ko diya hai...hakh samajh kar diya hai,karz samajhkar nahi..hakh hi rehne de....


NITS jo is pure scene me bas muskura raha tha,uske saath icecream order karne ke liye badh gaya mai wahin meri kahi aakhri baat sun kuch flash sa hua tha SONU ki aankhon ke aage...

standard 2nd se SIRIUS me padh raha hun mai par DEHRADUN session shuru hone se do mahine pehle april first week me hi aa gaye the hum...

hum as in mai aur MAA..DAD toh 4 months pehle hi aa chuke the yahan taaki where abouts check kar len...

pehle week me hi ek garden me coincidently mila tha mai dono NITS aur SONU se..

dono apni moms ke saath aaye the wahan aur mai apni MAA ke saath..

ek aur bhi thi..ANJALI..but unlike us,apne nanny ke saath aaya karti thi garden woh...

pehle ANJALI aur uske baad in dono se ussi garden me mila tha mai..

baccha hone ke baad bhi waise toh kaafi reserved rehta tha mai but pehle meet se hi SONU,NITS aur ANJALI se kaafi khul gaya tha....

anyways, admission ke waqt mera aur NITS ka admission toh SIRIUS me ek saath ho raha tha but us dauran tezi mandi ki chapet me fas financial crisis se guzar rahe KISHORE uncle ne SONU ka admission kisi dusre chote school me karwaya tha...

khub roya tha SONU hamare saath school na share karne ki baat jaankar par lekin uska woh rona bas ek baargi hi raha..

mere dad ne turant uska bhi admission SIRIUS me karwa diya tha...

SONU ko godh me lekar jab unhone usse ye baat batayi thi toh jahan ek taraf woh khush ho gaya tha wahin uske dad ne haath jod kaha tha mere dad se ki woh ikattha kar dad ke admission me lagaye paise wapas kar denge...

tab unke haathon ko thaam muskurate hue kaha tha dad ne...


"aapke nahi,mere bete ko diya hai...hakh samajh kar diya hai,karz samajhkar nahi..hakh hi rehne dijiye..."


jo CHUTKI ke liye abhi kaha tha maine SONU se,woh kabhi dad ne SONU ke liye kaha tha..

ussi yaad ko,un shabdon ko dobara jiya tha aaj SONU...


SONU-kkamina ssaala...mmeri bbehen se appna rrishta bbatakar mmujhe appna rrishta yaad ddila ggaya...





PLACE-BAMBOOZA




HEY GUYZ...WHATS UP...!!!


ROUNAK aur DEEPESH joki BAMBOOZA ke family rooms me se ek me baithe the,wahan enter kar unke saamne waali lounge par baitha ROHAN....


ROUNAK-all good buddy..kya lega...!!

ROHAN-arre nothing yaar..waise bhi ye jagah toh apna hi spot hai..

aate rehta hun mai idhar..

ROUNAK-phir bhi...lets have some coffee...

ROHAN-cool..


jahan ROUNAK waiter ko kuch cappuccino ko order dene laga wahin is douran jab ghuma uska face right ki taraf toh ROHAN ki nazar padi us taraf ke cheek ki taraf jahan halka bruise bana hua tha...

ab ROUNAK boxer tha toh aise me bruises toh common baat thi isiliye kuch kaha nahi usne par ROUNAK ki body language jisme aaj ek alag hi desperation jhalak rahi thi,woh bhi chuppi nahi thi ROHAN se...


ROHAN-hey man,kya haal chaal...!!!


cappuccinos order karne ke baad ROUNAK wapas muda hi tha ROHAN ke taraf ki tabhi us private room me enter hua NAMITH jisse haath milaane ke baad apne paas hi baitha liya tha ROHAN ne..


NAMITH-kya baat hai be..mere place me aaya hai tu,iski khabar tujhse nahi managar se mil rahi hai mujhe...

ROHAN-abbe planned nahi tha..ye toh ROUNAK ne bola ki urgently milna hai isse toh yahi bula liya maine..

he's ROUNAK...DEEPESH ko toh jaanta hi hai tu...


NAMITH-ye toh bhai hai apna..aur inka bhi naam suna hai maine.. boxing champion,right..!!!


apni jagah se uth DEEPESH ko side se hug karne ke baad ROUNAK se hand shake karte hue kahi thi apni baatein NAMITH ne jispar bas smile kar diya tha ROUNAK ne...

par is oupcharik intro ke baad jab ROUNAK ne ROHAN ko dekha toh us nazar ko samajh gaya ROHAN..


ROHAN-arre chill..buddy hai mera ye..jo bhi baat hai,bindaas bol sakte ho tum NAMITH ke saamne..


ROHAN ki baat par ek lambi saans chhodi ROUNAK ne aur...


ROUNAK-i want to know about SANVEER AHARYA...!!!info chahiye mujhe uski..

CRRRR....


turant khade hone par saamne rakhi table ko hit karne ki hi awaaz nahi thi ye balki SANVEER..is naam ko sun jo gaand fat si gayi thi NAMITH ki,uska bhi reaction tha..

aur jahan aisa reaction dekh ROHAN toh shaant hi raha wahin ROUNAK hairan reh gaya...

same reaction DEEPESH ka bhi tha jab ROUNAK ne kal uske saamne SANVEER ka naam liya tha..

bas itna hi bola tha DEEPESH ne ki SANVEER AHARYA is not the guy jisse bhidna chaahega woh..

ego hurt hui thi ROUNAK ki DEEPESH ke us comment se..

SANVEER kya hai,ROHAN se detail le lene ki raay bhi ussine di thi ROUNAK ko isiliye sirf DEEPESH ko saath lekar aaya tha woh yahan..

but ab jab NAMITH ka reaction dekha usne toh itna samajh aane laga tha usse ki badi pahunchi hui chiz hai SANVEER...

anyways,khade hone ke turant baad ek baar ROHAN ko dekha NAMITH ne aur..


NAMITH-dude... tujhe bhi pata hai...agar koi matter USSE related hai toh just stay away....


ek baar ROUNAK ko dekh sir shake kar nikal gaya NAMITH..

wahin NAMITH ke reaction ko dekh dimag ghum gaya tha ROUNAK ka..


DHADDHHH..

ROUNAK-who the hell is this SANVY..hain kahan ki top ye jo ithi fat rahi hai sabki usse...

saala ek punch me gira dunga usse mai...


table par zor se haath maar apni frustration nikaali thi ROUNAK ne jisse dekh sir naa me hilaya ROHAN ne aur..


ROHAN-shayad haan.. gira sakta hai tu usse..but gira ke waise hi grounded rakh nahi paayega...

kabhi nahi..he will get up.. but firstly toh usse sidhe tour par maar hi nahi sakega tu...

jaanta hun boxing champion hai tu par trust me...

uski league ke aaspas bhi nahi hai tu..

apne personal experience se bol raha hun mai..

anyways,saala sanki hai woh.

agar khudse bhi tujhe usse maarne ki permission de di na usne toh tu maarte maarte thak jaayega par woh maar khaate khaate nahi thakega...

aur phir woh shuru karega bajana tujhe jisse tu ek minute bhi jhel nahi paayega..

iska bhi personal experience hai mujhe..aaj se 3 saal pehle jhaant barabar the hum sab par the toh ek hi size ke....

hum 15 bando ne usse akele me ghera tha..us ladhayi me uska ek haath toota tha, hockey stick se guthne ki dono katori par direct hit kiya tha humne..woh bhi ek se zyada baar..

pura mooh khoon me san chuka tha uska aur continous hits se body ke har part me swelling aayi thi uske par woh behenchod pata nahi kis mitti ka bana hai,he never stayed down...

haan,aakhir ne gira zaroor woh par waisa hone se pehle hum 15 ko gira chuka tha woh...

par ye teen saal purani baat hai..

ab toh bhosdika pata nahi kahan se kya sikh raha hai ki 15 kya 20 bande bhi bhide usse toh araam se nipat lega woh..

and trust me,i am not making this up..sach hai ye.. reflexes dekhe hain maine uske... it's deadly...

isiliye dude,agar tu usse bhidne ki soch raha hai toh yakin maan, it's not a good idea...

aisi haalath kar dega woh ki agar sir salaamat bhi raha toh usse utha kar nahi chal paayega tu...

waise uske ek thappad me samajh aa jaani chahiye thi ye baat tujhe...


is aakhri baat ko sun hadbada gaya tha ROUNAK...


ROUNAK-abbe kya bol raha hai..!!

ROHAN-dont act dude...tere gaal par jo ye bruise dikh raha hai,ye SANVY ki hi den hai, right...

ROUNAK-ye..ye toh kal practice ke time...

ROHAN-hit lag gayi thi... pehle maine bhi yahi socha tha but teri SANVY ke liye nafrat aur frustration dekh kar samajh gaya mai ki theek se mil liya hai woh tujhse...

waise bhi parso tere club me private room se bahar mila tha woh mujhse and he said just one line...

"get out of the club"..

bas itna hi bola tha woh jispar mai samajh gaya ki he was upto something...

ab uske maamlon ke beech padna nahi tha mujhe isiliye mai baaki sabko lekar nikal gaya...


ROHAN ki baat sun ab ghusse se nahi dimag se sochne laga tha ROUNAK...

itna toh ab tak uske bhi palle padh chuka tha ki jis bande ka dar itne saare logon ko hai,baat toh usme hogi hi..

but chhodne toh waala tha nahi woh usse aur naahi DIMPLE ki jawani ke ras ko peene ka bhoot utra tha uske dimag se...

DIMPLE....ye naam jaise hi gunja ROUNAK ke dimag me,ek idea ne hit kiya usse jisse aankhein chamak uthi uski...


ROUNAK-matlab taakat se nahi haraya jaa sakta usse...

ROHAN-woo.. taakat...dude,taakat uska secondary weapon hai..

primary weapon uska dimag hai..

DEEPESH-that's true...saala chanakya ka baap hai behenchod...


DEEPESH ki baat sun ek baar ghoora ROUNAK ne usse aur..


ROUNAK-hoga dimag aur taakat dono uske pass par kami toh mere paas bhi nahi hai..

lekin mere pass ek aur chiz bhi hai jo i am sure ki uske paas nahi hogi...

ROHAN-really...kya...???

ROUNAK-influence..itne bande hain mere network me ki un sabko ek saath dekhkar hi gaand fath jaani hai us SANVEER ki..

par is factor ko use mai thoda alag tarike se karunga...

ROHAN-galti kar raha hai ROUNAK...maine pehle hi kaha hai ki haath pair se zyada dimag chalta hai SANVY ka...

tujhe khabar bhi nahi hogi but he will sense your people aur counter plan bhi ready hoga uske paas..

aisa plan jisse naa bach paayega tu...

ROUNAK-ho sakta hai...but hai toh woh ek hi..ek hi waqt par do do jagah toh naa uski body pahunch sakti hai aur naa uska dimag...

par hona usse dono hi jagah padega woh bhi ek hi time par taaki mere waar ko jhel paaye..

ROHAN-kuch sense kare,kuch aisa bol bhai...

ROUNAK-do do baar bhid chuka hai woh SANVY humse..pehli baar CREATION ke paas hamare hi campus me mere friends ko maara tha usne aur phir behenchod ne mere hi club me aakar mujhe hi dhamki di...

par ye dono bhindat me ek chiz ya phir ye kahun ki ek naam common tha....DIMPLE...

dono baar usse hi bachaya SANVEER ne...

ab jisse woh bachana chaahta hai,usse kaise bache rehne de sakta hun mai...

ROHAN-agar wakayi SANVEER ne bachaya hai DIMPLE ko toh tujhe kyun lagta hai ki you can do something with her or to her..!!!

woh usse kuch hone nahi dega..

ROHAN-mai us DIMPLE ke saath kuch nahi,bohot kuch karunga..

waise toh usse dekhne ke baad se hi usse haasil karne ke baare me soch liya tha maine but us behenchod SANVY ne thoda zyada personal bana diya is khwahish ko...

rahi SANVY ki aisa naa hone dene ki baat toh jab woh khud apne aap ko hi bachane me laga hoga toh bhala DIMPLE ko kaise bacha paayega.....



ek hi waqt me un dono ko alag alag NACHAUNGA...

ROUNAK kis bala ka naam hai,bade salike se unhe SAMJHAUNGA....

daawat-e-husn-o-ranj dono saath me hoga...

SANVEER mere bando se bajega, aur DIMPLE ki mai BAJAUNGA...










AAJ KE LIYE ITNA HI....








AAPKA APNA V...J...
 

Top