Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43
CITY:-DEHRADUN:-



PLACE-SIRIUS SCHOOL & COLLEGE....



PLACE INFO----


(SIRIUS SCHOOL & COLLEGE)...

SLOGAN..."THE PLACE WHERE CHAMPIONS ARE ELEVATED TO BECOME LEGENDS"....




1921 me DEHRADUN aur MASOORI ke beech mountain outskirts ke beech kareeb 50 acre ke dimension me bana SIRIUS SCHOOL & COLLEGE apne aap me ek misaal hai...

I.C.S.E syllabus and pattern ke antargath aane waala THE SIRUIS dehradun hi kya,pure india ke top 20 schools and colleges me darj karata hai apna naam....

india ke har state se aate hain bacche is dignified school aur college me padhne joki apne aap me hi ek nayi duniya se kam nahi hai....

kareeb 3000 students padhte hain SIRIUS ke SCHOOL me aur college me students ki sankhya 4000 se bhi zyada hai...

har class me 100 se zyada bacche hain aur isiliye hi har class ko 2 ya phir 3 section me convert kiya gaya hai..

ACADEMICS,SPORTS & STUDY...school me hone waale in teeno he departments ka hadh se zyada craze hai SIRIUS me....

yahi reason hai ki jitne bhi students in teeno departments me sabse upar hote hain,they are treated like celebrities in THE SIRIUS...

SCHOLARS aur SUPER RICH bacchon ka sangam hai SIRIUS jiske teachers bhi apne aap me super efficient, talented aur interestingly ajeeb bhi hain...

toh ye tha hamari is nayi kahani ke first chapter ka sabse important BASE...THE SIRIUS SCHOOL & COLLEGE jiska info ab aap sabke paas hai aur isiliye chaliye ab shuru karte hain ek super thrill, competence aur excitement se bhare hue "GALATH" ka first chapter....



CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-1


" APRIL 1/2019 "


PLACE-THE SIRIUS...

FIRST DAY OF THE NEW SESSION.....





WAKEY WAKEY,EGGS AND BAKEYYYY.....SIRIUS......(slang words to say goodmorning)



TEACHERS,STUDENTS, GUYS,GALS OF ALL AGES..

PEOPLE WHO LIVE NEAR BY AND FROM DIFFERENT PLACES...

PUT ON YOUR SHOES & TIGHT UP YOUR LACES...

SMILE AND POP IN,ITS SIRIUS AFTERALL,IT ALWAYS EMBRACES......

FELLAS, IT'S TIME FOR THE FIRST ASSEMBLY..SO ASSEMBLEEEEEEE....
IN THE GREAT HALL....



school me chaaron taraf lage bade bade speakers me SIRIUS school ki arts department ke personal radio jokey KELVIN MICHAEL ke welcome words the ye jo gunj uthe the pure SIRIUS me jisse sun jahan ek taraf purane sabhi students ke faces par smile naach uthi thi wahin jitne bhi naye students the,unke kadam is nayi gigantic,total happening aur super modern school me rakhne ke baad nervousness ki wajah se aur zyada kaampne lage the...

but, with all the mixed feelings, assembly me toh jaana hi tha, isiliye sabhi students fouran the great hall ki taraf chal pade...


ASSEMBLY:-

GOOD MORNING STUDENTS AND I WELCOME ALL THE NEW AND OLD STUDENTS TO THIS FRESH CALENDAR YEAR IN SIRIUS...


GOD'S PRAYER, HYMNS, COUNTRY PLEDGE and finally NATIONAL ANTHEM ke baad gunji thi ye awaaz saare students ke saamne khadi SIRIUS SCHOOL'S principal ki...


(INTRO:-RANJANA MATTHEWS..the principal of SIRIUS,SCHOOL DIVISION...ab inke baare me kya bolun..mid forties ki ek beautiful women hain ye.. saath hi saath super inteligent bhi..after all oxford return jo hain ye..

aur woh bhi ek nahi,do do MASTER'S DEGREE ke saath..she has a master degree on LITERATURE as well as a MASTER'S DEGREE on SOCIAL PSYCHOLOGY...human behaviour,unke hidden secrets ko guess karne ka hunar hai inke paas......)




BACK TO THE STORY:-



RANJANA-kya aapko pata hai the meaning of SIRIUS...???!!!

STUDENTS-THE BRIGHTEST STAR IN THE NIGHT SKY....


purane students jinhe apne principal ke is sawal ka jawab pata tha,un sabki awaaz ek saath gunji jiske baad..


RANJANA-exactly..the brightest star in the night sky.. aur kyunki aap sab is integral aur respected school ka hissa hain, isiliye you all are also that shining star..

aur yahi hamare school ka logo aur moto bhi hai..

SIRIUS is the place where champions are elevated to become legends"....

but to be that,the most important thing is discipline...and i expect each and everyone of you to be very disciplined.


students ke us mele ke beech bhi kuch khaas notorious students par eye roll karte hue kahi ye baat PRINCIPAL RANJANA ne jiske baad assembly dissolve ho gayi aur saare students line barkarar rakhte hue apni apni classes ki taraf badh chale par is beech...


ROHAN,WE NEED TO TALK...THE GAME HALL... RIGHT NOW....


ye thi SAMEER CHANDER ki awaaz jisne apne hi class par dusre section ke ek ladke ROHAN JAIN se kahi ye baat aur aisa bol woh ussi GAME HALL ki taraf badh gaya..


INTRO:-SAMEER CHANDER urf SAM... a very handsome guy..but more importantly,the heart throb of SIRIUS.... academics ho,study ho yaa phir the most important thing of SIRIUS, SPORTS, SAMEER CHANDER is the best of SIRIUS....

saath hi saath kaafi dabang bhi hai ye, apne group ka jisme 50 se zyada ladke aur ladkiyan thi,uska leader hai SAM...

SIRIUS school division ke lagbhag sabhi students yaa toh SAM ki respect karte hain yaa phir usse darte hain ya phir teesra option chunte the...


ROHAN MALHOTRA.....

again a very good looking guy and at the same time,SAM ka direct rival... academics me, study me aur sports me agar SIRIUS me SAMEER ko koi challenge kar sakta hai,toh woh hai ROHAN MALHOTRA urf RO....

haan, winning percentage SAMEER ka ROHAN se zyada hai but woh margin bohot kam hai..

aur isiliye jitne friends, followers aur fans SAM ke hain, lagbhag utne hi ROHAN ke bhi hain...


BACK TO THE STORY:-


ROHAN-well,well,well..yahan toh puri gang moujud hai...brawl ke liye ye GAME HALL chota nahi pad jaayega....


ANJALI UDAASI,SAMS GF,EK PREET SINGH BAL,RAJAT AGRAWAL,NAISHA SINGHANIA,RAJAT'S GF...

in sabhi ko ek saath game hall me dekhte hue kahi thi ye baat ROHAN ne jispar..


SAM-just cut the crap ROHAN...pehle bhi bol chuka hun,phir bol raha hun, zabardasti mera raasta kaatna band kar de...


apni ungli saamne khade ROHAN ki taraf karte hue kahi thi ye baat SAMEER ne jispar..


ROHAN-raasta kaatna...??? abbe mai koi billi hun jo tera raasta kaatunga..

SAM-stop playing ROHAN...pure holidays me tune aur tere bandon ne jaan bujh kar mere bandon ko continously poke kiya hai,toh stop doing it or..

ROHAN-or what..haan...kar kya lega tu...???beta,teri hoshiyari aur dhouns sirf school gate ke andar tak hai,par meri pure dehradun me...

jo chaahe karunga mai,ukhaad le jo ukhaadna hai..

SAM-teri toh saale...

EKPREET-SAM,see around...


ROHAN ko punch karne ke liye SAMEER aage badhne hi waala tha ki tabhi piche se EKPREET ki awaaz padi uske kaano me jiske baad jab usne nazar ghumayi toh paaya ki GAME ZONE ke kul 6 entries se 7 log nikalkar uski hi taraf aa rahe the..

ye saathon ROHAN ke group ke ladke the aur kaafi tagde bhi...

un saathon ko dekh jahan SAMEER ne apne kadam halke piche liye wahin ek devilish smile ke saath ROHAN SAMEER ki taraf badha aur theek uske saamne pahunch...


ROHAN-beta,ucchalna kam kar de...warna itna pelunga ki naa toh dhang se khade ho paayega aur naahi thik se baith paayega...


TOH PEL KE DIKHA NA BHOSDIKE...AUR TU KYA ISKI DIALOGUE BAAZI JHEL RAHA HAI...

"MAAR MADARCHOD KO".....


ek tez awaaz ya phir ye kahun ki KISIKI PERSONAL TAKIYA KALAM gunji HALL ke door ki taraf se jisse sun jahan ek taraf SAMEER, EKPREET aur RAJAT ke tensed faces par smile naach uthi, dusri taraf ANJALI aur NAISHA ne apne sir par haath maar diya wahin teesri taraf ROHAN aur uske saaton bande jo ab tak super confident dikh rahe the,achanak se hi un sabke chehre par baaja baj chuke the...

darte hue woh sab piche mude aur aisa hote hi saamne khade saksh ko dekh unke chehre par jo 12 baje the,woh 24 me badal chuke the..


REASON...

un sabke piche khada tha,SANVEER AHARYA....

aur "MAAR MAARADCHOD KO" hai in bhai sahab ka woh personal takiyakalaam jo kisi ko maarne se pehle ye chillakar bolte hain...

scene aage badhane se pehle, chaliye,is kahani ke nayak ka intro ho jaaye,toh bada hai,par zaroori bhi hai...


naam toh aap jaante hi hain...SANVEER AHARYA...son of THE LATE SANEEL AHARYA and mother VERONICA PAUL AHARYA...

inke first board exam me abhi 2 saal baaki hai but phir bhi janab ki height 5.8 cross kar chuki hai..

dubla patla above average look waala banda hai apna SANVEER AHARYA....but jawline jis tarah se develop ho raha hai iska,agar janab ka sharir bhar jaaye aur face par halka fat aa jaaye toh he will be transformed into a super hot guy who's looks would be something to die for..

anyways, SANVEER bhi SAMEER ke class me hi hai aur uska best friend bhi..

but most importantly,SANVEER SIRIUS ka woh eklouta aisa banda hai jo sabke saamne bhi SAMEER ka mazak udaa sakta hai..

but unlike SAMEER, ACADEMICS, SPORTS aur even STUDY me apna SANVEER average student hi hai...

agar sab chizon ko summerize karkar bolun toh SANVEER ek zindadil,life ko enjoy karne waala,on the scale 100,90 percent perfect banda hai who's quite perfect to hangout with...

haan,mooh chod bada tagda hai ye...behes me in mahashay se jeetna mushkil hi nahi naamumkin hai...

acche accho ke kaan se bas apne zubaan se hi khoon nikal sakte hain ye...

par ye hunar bhi iske 90 percent "SAHI" hone ka hi hissa hai..

par bacha 10 percent...woooo... that's something no one should mess with..

kyunki us 10 percent me aata hain SANVEER ka GHUSSA...wahi expression jiski wajah se abhi chal rahe scene me RONIT and party ki fati hui hai...

aisa nahi hai ki SANVEER koi trained martial artist yaa koi strong fighter hai..

ek behadh hi simple banda hai apna SANVEER..but iska ghussa utna hi complicated aur negetive hai...

aur woh isiliye kyunki SANVEER ke ghusse ki koi HADH nahi...aar ya paar waale tarj par apna ghussa nikalta hai ye...

fark nahi padta ki saamne ladka hai ya ladki.. bhidne waala ek banda hai ya phir 10 ki toli...

ye janab sabse akele hi bhid jaate hai aur tab tak bhide hi rehte hain jab tak yaa toh saamne waala ya waale rahen yaa phir ye...

luckily aaj tak kisiko jaan se nahi maara isne par ye sirf isiliye possible ho paaya kyunki har baar koi na koi geniune banda aur zyadatar iski mom ne aakar beech bachav kiya hai us ladhayi ka..

but sabse important baat jo ghusse me iska sabse bada hathiyar bhi hai..woh ye hai ki jab ye bhai sahab ghussa hote hain toh us waqt inka dimag saamne waale ko nuksaan pahunchane ke liye itna zyada focused rehta hai ki inki body par aaye har chot aur us chot se hone waale dard ka ehsaas tak nahi hota inhe..

aur yahi main reason hai ROHAN aur uske doston ka SANVEER se darne ka..aaj se do saal pehle in saare mahanubhavon se bhid chuka hai SANVEER woh bhi akele..

infact akela paakar hi ghera tha in sabne isse..

us ladhayi me SANVEER ka left haath fracture ho gaya tha, sir par,pair par,chest aur back par bhi bohot se chot aur ghaaw aaye the but us waqt ladhayi ke beech isse kuch pata hi nahi chala..

lagbhagh 30 minute se bhi zyada in sabhi se akele ladhte raha SANVEER aur aadhe ghante baad kisi ke through pata chalne par jab SANVEER ki mom us ladhayi waale spot par pahunchi toh tab tak ROHAN aur uske saaton saathi zamin par gire pade the...

SANVEER ki haalath beshak kharab thi par un sabki condition khudse zyada buri kar chuka tha SANVEER..

aur jab uski mom wahan pahunchi aur unhone SANVEER ko rukne ke liye kaha tab jaakar kahin woh rooka aur aisa karte hi woh saara zabt kiya hua dard ek jhatke me bahar aaya aur woh behosh ho gaya...

bottom line..jab SANVEER ghussa hota hai toh naa woh paagal hota hai aur naahi sanki,woh in dono bhi bhaavo se ek kadam aur upar uth ban jaata hai "GALATH"...



BACK TO THE STORY:-



ROHAN-abbe bhosdike tune toh bola tha ki SANVY school nahi aaya hai...

JIMMY-mother swear bhai..school bus me nahi tha ye aur naahi assembly me dikha tha..


CHATTAKH..CHATTAKKHHH.
CHATAKKKKHH..BHAKKKK..BHAKKKK...


jimmy ke apni baat bolte tak MAI ROHAN ke paas pahunch chuka tha jispar woh hadbada gaya aur mujhse kuch bolne ko hua par tabhi continously chala mera haath..

ek ke baad ek teen tamache jade maine usse aur ye dekh uska chamcha jimmy beech bachav ke liye aage badha par tabhi maine uske chaati par maara apna pair jispar woh piche ki taraf gir pada..


ROHAN-dekh SANVY..hum yahan ladhne nahi aaye the...ye SAM ne hi mujhe..

MAI-chup laude...mootna aata nahi, chodna sikhayega tu...bhosadchodi ke..

maana, mujhe aane me thodi deri hui par itna late toh nahi hua tha mai ki tu bete se baap hi ban jaaye...

jhaantu,rook...aaj tera pura hisaab ek saath pura karta hun mai...


ye bol pool table par rakhi CUE uthayi maine par tabhi...

ROHAN aur uske saathon dost exit ki taraf bhaage aur ye dekh..


MAI-bhaag madarchod bhaag..aaj tujhe teri class me hi nibtaunga mai..


ye bol mai bhi bhaaga par pehle se hi exit me khade teachers ki position check karte EKPREET ne pakda mujhe aur..


EKPREET-shaant ho jaa bhai..school me hain hum..yahan kisi ko khule me maarega toh suspend nahi sidha resticate hoga tu...

MAI-ghante ka resticate..khudko bachana aata hai mujhe..tu hat loude..

SAM-haan bhai SANVY..tune pehle bhi kisi tarah khudko safe kiya hai aur i am sure ki ab bhi kar lega...

but think bro..in sabke beech aunty ko firse yahan aana padega aur princi se sunani padegi...

and i don't think you want that..isiliye cool it buddy..

in saalon ko phir kabhi dekh lenge...


mom ka naam sunte hi shaant ho chuka tha mai..

aage kuch kaha nahi maine aur EKPREET jo ab bhi mujhe kisi tarah pakde khada tha,usse alag ho class ki taraf badh gaya aur ye dekh..


SAMEER-abbe ek hi class me hain hum sab.. hamare liye toh rook...

MAI-toh raasta bhi pata hoga naa..aa jaaiyo...


jahan ye bol mai tezi se aage badh chuka tha wahin meri baat sun muskurate hue SAM aur baaki chaaron bhi uske saath class ki taraf chal pade aur is beech...


ANJALI-baby...mujhe samajh nahi aata ki ye looser SANVY tumhe itna kuch bol jaata hai and why you never react..??

you are the heart throb of SIRIUS.. everybody respects you but ye SANVY...

ye tumhe kabhi bhi,kisi ke bhi saamne ulta sidha kuch bhi bol deta hai aur tum bas smile karte rehte ho..

is middle class average looser me dikhta kya hai tumhe jo isse apna best friend maante ho...???

aur tu EKPREET..kya zaroorat thi usse rokne ki...jaane deta usse ROHAN ke piche...acha hi hota,is baar toh pakka resticate hota woh....

SAM-babes.. first of all, friendship me paise nahi dekhe jaate..

and yes,SANVY is my best buddy aur isiliye woh kuch bhi bol sakta hai mujhe...

EKPREET-aur rahi baat uske resticate hone ki toh mat bhul ANJU ki SANVY ne pehle bhi kayi kaand kiya hain aur woh bhi openly..

but har baar he escapes...aur woh bhi bina kisiki madad ke..

RAJAT-true...saale ke paas har baar kuch na kuch jugaad hota hai bachne ka...

NAISHA-jugaad nahi babes,loop holes...SANVY loopholes dhundne me master hai...

woh loopholes dhundh araam se bach jaata hai...

aur sabse important baat.. mat bhulo ki he is the favourite student of our respected PRINCIPAL MRS RANJANA MATTHEWS..

ANJALI-ab ye ek aur baat hai jo mai kabhi samajh nahi paayi...why the hell does our PRINCIPAL likes an average student like SANVY...

for god sake,he is good for nothing...

SAM-oh,just cut the crap yaar..baaki sab chhodo,bas itna yaad rakho ki aaj,he saved our bloody asses...

baaki saari baaton ko chaar line me lapeto toh...



koi bhi yahan doodh ka dhula NAHI HAI......

par aaj usne hume bachaya hai,sach bas YAHI HAI....

haan,kahin kahin zaroor GALATH hai mera yaar magar...

SANVY ke thode se GALATH hone se zyada kuch bhi SAHI NAHI HAI.....













AAJ KE LIYE ITNA HI....










AAPKA APNA V...J....
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ROHAN AND PARTY SANVY KE DAR SE BHAAG JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF SAMEER SANVY KE HALKE GALATH HONE KO BHI BILKUL SAHI BATATA HAI...


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-2


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS


"FIRST DAY CONTINOUS"




ABBE HARAMKHOR,KAHAN GHUM RAHA THA BE TU AKELE AKELE...


jaise hi mai class me enter hua jahan luckily hamare naye saal ke naye class teacher abhi tak pahunche nahi the,toh last row se aayi ye pyar bhari vaani mere kaano me jisse completely nazarandaaz karte hue mai ussi piche waali row ki taraf badh chala jo mere,SONU SHRIVASTAV aur jisne mujhe abhi toka tha,NITENDRA BHATNAGAR joki AAND KHAU ke naam aur MATCH MAKING ke kaam se famous tha, permanent spot tha baithne ka,wahan pahunch apna bag utaar mooh me maara maine ussi bag ko NITENDRA ke mooh par jispar uske mooh se aur chaar paanch phool jhadne waale shabd nikle mere liye..

par is baar bhi maine uski baaton ko completely ignore kiya aur usse dhakelte hue apni owned corner seat par jaa baitha...

aage badhne se pehle in dono mahanubhavon ka intro ho jaaye....


SONU SHRIVASTAV...son of KISHORE SHRIVASTAV & SHALINI SHRIVASTAV...

inke pitashri ki yahin DUN me do readymade garment shops hain....

anyways SONU hai behadh hi interesting character...ye bhai sahab halka stammer matlab haklate hain..

padhayi me 75 percent plus, academics me kuch khaas nahi par haan,sports me kaafi ache hain ye.

infact,SAMEER aur ROHAN ke baad 100 metre aur 200 metre me sabse tez hain ye pure SIRIUS me...

but stammering ke saath iski ek problem aur hai..LADKIYAN...

ladkiyan as an tharki nahi hai ye,balki usse ulat is SONU ko ladkiyon me zara si bhi dilchaspi nahi hai..

affair wagairah toh door ki baat hai,in janab ko ladkiyon se dosti karne se bhi taklif hai par inke aisa hone ke piche ek bada kaaran bhi hai..

aaj se do saal pehle sonu ke bade papa ke ladke ne joki SONU ke liye sage bade bhai sa hi tha, college me ek ladki ki bewafayi ki wajah se suicide kar liya tha..

us haadse ka aur khaaskar us haadse ke kaaran ka joki ladki thi,bohot bura asar pada SONU par..

usne khudko completely har bahari ladki se door kar liya..aisa nahi hai ki SONU ko ishq, mohabbat se koi pareshani hai...

naa,SONU ke hisaab se school aur college hota hai padhne aur apne carrier ko nikharne ke liye,laundi baazi ke liye puri zindagi padi hai..

inke baad number aata hai dusre namune urf NITENDRA BHATNAGAR ka urf NITS jo friends usse bulate hain..

son of JAGATH BHATNAGAR and LAKSHMI BHATNAGAR..

iske baap ki FLOUR MILL matlab atta chaki hai aur woh bhi military contract ke saath..

yahan DEHRADUN ke saare military camps me jo bhi aata supply hota hai,woh inhi ki FLOUR MILL se jaata hai...

anyways,ek number ke aand khau hain NITS matlab lagatar kisiko bhi bina ruke chaabte rehne ki adhbhudh kala hai inke paas aur khaaskar SONU aur mujhe...

ek aur quality bhi hai inki jiska title me bata chuka hun."MATCH MAKER"..

par title jaankar koi galatfehmi mat paal lijiyega..

match maker matlab ladka ladki ki setting nahi karta hai ye chutiya balki alag alag words jinka aapas me door door tak koi connection nahi hai,unhe jodne me laga rehta hai ye..

par jo bhi hain,jaise bhi hain,SONU aur NITS mere urf SANVY ke chaddi buddies hain...

class 1 se hi as in jabse mai yahan DUN me mom dad ke saath shift hua tha,tabse hum teeno saath hi padhte,ghumte sur rehte aa rahe hain..

ye tha in dono ka intro jo pura hua isiliye...




BACK TO THE STORY:-



NITS-ab bhonkega bhi ki kahan gaand marva raha tha ab tak...???

assembly ke time dekha tha main gate se andar aate tujhe maine par uske baad gayab hi ho gaya tu...

MAI-nahi sir mai nahi,ye NITENDRA gaali de raha hai..

NITENDRA-nahi sir..woh mai....


meri baat sun hadbada gaya NITS aur turant khada ho saamne dekh fatafat safayi dena shuru kar diya par jab usne paaya ki koi teacher aaya hi nahi hai toh ek dum se chup ho gaya woh jispar..


HAHAHAHAHAHAHA....

mai,sonu aur class ke baaki sabhi student jinhone meri baat aur NITS ka reaction dekha tha,zor se has pade jispar mujhe khaa jaane waali nazaron se ghurne laga NITS aur uska face dekh..


MAI-bhai,maine gaand marwayi ho ya naa ho,par teri ab zaroor itni fath chuki hai ki koi agar teri maar bhi le toh tujhe pata bhi nahi chalega....


DHABBBB...

AHHHH....


MAI-loudu chand....dheere nahi maar sakta...


meri baat sun mere peeth par ek zor ka mukka chipka diya tha NITS ne jispar peeche bench par tik peeth ragadne laga mai..

wahin mujhe maarne ke baad mood kuch thik ho gaya us chodu ka aur woh araam se baith gaya jiske baad..


NITS-ab sidhe sidhe bata...kahan tha tu..???

MAI-haan toh aise sidhe sidhe puch naa..jab dekho gaali galouch se hi har baat shuru karni hoti hai tum logon ko...

disgusting...pata nahi mooh hai ya gutter...jab dekho kachra hi bahar niklega...


meri baat sun is baar NITS ke saath SONU bhi mujhe ghurne laga jo ishara tha ki agar ab maine bina noutanki puche gaye sawal ka jawab nahi diya toh ye dono milkar mujhe bajayenge..

isiliye maine bhi sidhe sidhe jo bhi GAME ZONE me hua,woh bata diya jisse sun...


SONU-yeee sssaaalle madarchod RROHANN aur uuskka grooup.

iinnko ttoh ekk saatth ttarrike sse bajjana paddega..


haklate hue kahi ye baat SONU ne jispar...


NITS-bajana baad me pehle ek baat bata..saale tu pure line me lagatar atka,par madarchod pura fluint nikla tere mooh se..aise kaise...???

MAI-chup ho ja loudu,sir aa gaye...

NITS-ajji ghanta..saale,ek lolypop baar baar kaam nahi aayega..


WHAT LOLYPOP NITENDRA BHATNAGAR...???


haste hue NITS ne kahi thi apni baat par jab saamne se ye awaaz joki wakayi MATHEMATICS ke sir aur is saal ke hamare class teacher MR MANOJ MAALVIYA ki thi,uske kaano me padi toh agle hi second mooh sookh gaya uska aur ek jhatke me apni jagah par sir ko face karte hue khada ho gaya woh..

wahin uski haalath dekh hum sabhi dabi hasi hasne lage the..

khair,sir ko kuch toh jawab dena hi tha aur isiliye..


NITS-nothing sir..woh actually kal mera birthday tha toh SANVY party demand kar raha tha..

MAALVIYA SIR-aur tum apni party me lollypop dete ho..


HAHAHAHAHA..


sir ki baat sun is baar sabhi thoda zor se has pade the jispar sabko ek baar ghoor NITS kuch kehne ko hua par tabhi..


MAALVIYA SIR-dont bother NITENDRA... tumhare senseless answers ke liye time nahi hai mere paas..

so sit down...


sir ki baat sun apna sa mooh liye chup chaap baith gaya NITS jiske baad ek sarsari nazar puri class par daali hamare is saal ke naye class teacher ne..

SAMEER,ANJALI, EKPREET,RAJAT,NAISHA joki class ke top ten rankers me se ek the,woh sabhi first of the benches me baithe hue the..

unhe dekh baakiyon ko bhi dekha sir ne jiske baad..


MAALVIYA SIR-so i am seeing ki lagbhag aadhi class absent hai aaj...

isiliye attendence nahi hogi aaj aur actual classes bhi kal se hi shuru honge..

but for now,is saal mathematics ke kuch basic questions answers jinke reference se aap sab un chapters se related bohot se equations solve kar sakenge, discuss karenge hum aaj..

so,maths 1 aur 2 milakar kul 26 chapters hain aapke books me is saal...

waise toh sabhi chapters hi important hain but kuch aise chapters bhi hain jinke questions paper me zyada se zyada aate hain...

woh chapters hain, LINEAR EQUATIONS IN ONE VARIABLE, QUADRILATERALS, PRACTICAL GEOMETRY,CUBES & CUBE ROOTS,FACTORISATION & ALGEBRAIC EXPRESSIONS & IDENTITIES...


apne note pad par ek sarsari nazar daalte hue naam bataya sir ne sabhi important chapters ka jisse unke bolne ke saath saath hi mere baaju me baitha SONU aur saamne baithe sabhi toppers turant note down karne me bhi lag chuke the...

wahin mai,NITS aur hamare jaise maha vidwani students bas pen se apni apni copies me apni mahan painter banane ki pratibha ka pradarshan karte hue alag alag tarah ki lines kheenche jaa rahe the...

anyways,jaise hi chapters ke naam likhne waale students ka likhna band hua aur unka face upar sir ki taraf gaya toh..


MAALVIYA-toh chaliye, shuruat aap sabke interest ke hisab se karte hain..

bataiye,kaun se chapter ke equation se shuru karen...???

NAISHA-sir ALGEBRAIC EXPRESSIONS & IDENTITIES ke equation se shuru kijiye na please...


NAISA ke baad baaki sabhi ne apni apni pasand ka equation bataya but mujhe pata tha ki MAALVIYA SIR ussi chapter ka equation solve karenge jo NAISHA ne request kiya tha..

REASON...

ANSHUMALA LAKHMANIA...

hum sab apne class ki A section ke students the jiske class teacher the MAALVIYA sir..

theek waise hi is class ke B section jisme ROHAN aur uska pura group bhi tha aur joki hamare next corridor me thi,uski class teacher thi MRS ANSHUMALA LAKHMANIA..

aur NAISHA ka face kaafi hadh tak ANSHUMALA miss se match karta tha...

ANSHUMALA miss aur MAALVIYA sir apne school time ke class mates the aur yahan SIRIUS me bhi saath hi dono ne padhana shuru kiya tha..

waise toh dono hi shaadi shuda the par deep down MAALVIA sir ANSHUMALA MISS ko kaafi pasand karte the..

aur jo unki pasand ka kuch hadh tak hi sahi,par chehra odhe hue thi,"NAISHA"uski baat bhala kaise kaat de hamare MAALVIYA sir...

aur wahi hua..sabki request sunane ke baad MAALVIYA sir ne ALGEBRAIC EXPRESSIONS & IDENTITIES ke equation se hi shuru karne ka faisla kiya jiske baad..


MAAVIYA SIR-ok so, here's the question...

how do you write an expression for the product"P & Q"?

answer bohot simple hai but saath hi saath baaki equations ko solve karne me kaam bhi aane waala hai...

toh sabse pehle ye jaan lijiye ki is sawal ka jo sabse key word hai,woh hai "product"....

product equals multiplication operation...

3 aur 4 ka product hota hai 3*4.. that equals 12...

haan,is equation me hum algebra ke according work kar rahe hain par usse fark nahi padta...

the product of p and q means p*q that is PQ...

matlab product hai pq..ye ek aisa algebraic term hai jisse naa toh aur zyada simplify kiya jaa sakta hai aur naahi extra evaluate unless you know the values of P and Q..

algebraic expressions and identities chapter ke zyadatar questions issi method se solve honge so is equation ko ache se samajh lo tum sab..

waise algebraic expressions ke jis equation ka example diya hai maine,ye mere saath tum sabki ANSHUMALA miss ka bhi favourite example hai..


apne laptop ke through joki saamne digital board se connected tha, equation samjhaya hum sabko MAALVIYA sir ne aur aakhri baat jisme unhone apni favourite ANSHUMALA miss ka zikr kiya tha,laptop band karte hue unka naam lete waqt ek smile naach uthi sir ke face par jisse dekh..


MAI-waise sir, ANSHUMALA miss ka aur kya kya favourite hai...???

MAALVIYA SIR-well jo hamara favourite hai,woh unka bhi favourite hai...


bade style we kahi ye baat MAALVIYA sir ne jispar..


MAI-but sir.. ANSHUMALA miss toh mujhe bhi kaafi pasand karti hain par aapse toh waisa gesture kabhi nahi mila mujhe..


jahan meri baat sun baaki ki class dheere se hi sahi,par hasne lag gayi, wahin MAALVIYA sir ne ghura mujhe par phir diwaar par sir patakne par nuksaan apna hi hota hai,is thought ko yaad kar bina kuch bole palat gaye woh aur baaki chapters ke bhi important equations samjhane lage..



NEXT CLASS:-

HINDI....


ISKI MAA KA....SAALA PEHLE HI DIN KOI ITNA PADHATA HAI KYA...???PEHLI CLASS ME HI DIMAG TAP GAYA BHAI...


MAALVIYA sir ke jaate hi kanjhaya NITS jispar mere ya sonu me se koi kuch kehta ki tabhi...


VYARTH KI CHARCHA BAAD ME KIJIYEGA AAP SAB... KAKSHA KE SAMAY SIRF SHIKSHA SAMBHANDHI VICHAAR HI UTHNI CHAHIYE AAP SABKE MASTISHK ME...


hamare hindi teacher jinhe English se ek chidh si thi,unki awaaz gunj uthi hum sabke kaano me...

SHRIKANT DUBE...UMR 60....pichle 36 saal se yahan SIRIUS me teacher hain ye hindi class ke....

zyadatar abhi ke saare students ke parents ko bhi padhaya hain inhone aur baat baat par sabhi ko inki is khaas uplabdhi ki yaad bhi dilate rehte hain ye...

but the most important thing,ye saari gloating ke baawjud MR SHRIKANT DUBE ek behatarin insaan hain...

class me baccho ko badmashiyon par unhe gaali zaroor dete hain ye par students ke mazak ko mazak samajhte bhi hain...

inke saare complaints class tak hi simit rehte hain,kabhi inhone kisi student ki complaint principal ko nahi ki kyunki agar aisa hota toh koi aur toh nahi par apna SANVY ab tak kayi baar saza paa chuka hota..

kaise,khud hi dekh lijiye...




BACK TO THE STORY:-



NITS-hey bhagwan...in dono ke baaju me baithne ki itni bada saza toh mat de...

ye dube ki hindi class pehle hi din jhelne se accha mujhe nark hi bhej de...


NITS apne me bhunbhuna raha tha aur wahan hamare respected DUBE sir ne shuruati pravachan ke baad book khol bhi liya tha jiske baad...


DUBE-haan toh chhatron avum chhatraon...sabse pehle aap sabko ek baar phirse smaran kara dun ki meri kaksha me angrezi bhasha ka lesh maatra upyog bhi varjit hoga anyatha dand ke liye taiyar rahiyega...

toh,aapke hindi paathyapustak me is baar kul 18 adhyay hain..

NITS-bhai SANVY..bhai bacha le yaar...kamsekam aaj pehle din toh in dube sir ki class nahi jhel sakta mai....

MAI-kyun be lodu....??? hamare paas baithna toh saza hai naa tere liye...

toh mara le phir gaand...meri taraf dekhiyo bhi mat...


meri baat sun wakayi bheekari waali shakl liye dekhne laga NITS mujhe maano agar maine madad nahi ki toh khud hi khudki gaand maar lega...

ab mai thehra saccha dost.. apne dost ko taklif ne kaise dekh sakta hun bhala par kisi mahapurush ne kaha tha ki bhagwan sabka bhala kare,par shuruat humse kare..

matlab pehle mujhe apna bhala dekhna tha aur isiliye..


MAI-mere aur SONU ke liye 7 din tak continously burger joint me teri taraf se double cheese burger...deal...

NITS-7 din tak..mooh me le le mera..

MAI-cool then..pehle tu toh sir ki madhur vaani sun gaand marwale...


meri baat ya phir ye kahun ki indirect blackmail ko sun ek pal ghura NITS ne mujhe par mai bilkul kisi sharif bacche ki tarah sir ki taraf dekhta raha jispar..


NITS-done..thoos lena bhikhariyon jitna thoosna hai par pehle is torture se nijaat dila..


NITS ne deal pakki ki hi thi ki mera ek haath turant upar utha aur ye dekh..


DUBE SIR-arre arre arre..wahi vichar kar raha tha mai ki SANVY ji ne ab tak ek baar bhi hastakshep kaise nahi kiya..!!!

kahiye,kaise madad kar sakta hun mai aapki...???

MAI-sabse pehle toh hamare sabse maananiya sikshak mahodaya mere jaise mati-mand(idiot)ke baare me itna chintan karte hain,yahi mere liye harsh-ulaas tatha
gourvanvit ka vishay hai...

DUBE-hamare drishtikon anusaar aap bas ek maha murkh praani hai jo galath yoni me paida hua hai...

aapko manushya yoni me nahi,bandar bankar paida hona chahiye tha..kyunki aapki athkheliyan bilkul bandaron waali hi hai...

khair,ab bataiye ki kaunse atti mahatvapurn vishay ke kaaran aapne kaksha me vyavadhan paida kiya hai..???

MAI-aap mere guru hain.aapke kataksh bhi mere liye mithe vachan se kam nahi aur isiliye mere baare me kahe shabdo ke liye dhanyawad maananiya shikshak mahodaya..

kaksha ko pareshan karne ke liye mujhe bhi khed hai..

aur aisa karne ka kaaran atti vyaktigath hai...


"vaastav me mere shroni khehstra me nirantar sankuchan hone ke kaaran ek samagr uttejak bhumika ka srujan ho raha hai jisse mera shayashod bhar sa gaya hai aur isiliye meri kathinayi nirantar agrasar hoti chali jaa rahi hai"..



meri baat ya phir woh reason sun jiski wajah se mai khada hua tha,SONU,NITS aur class me toh sabhi ke mooh khul hi gaye the par un sabke saath DUBEY sir bhi aankhien faade mujhe hi dekh rahe the...

kisi ko bhi kuch samajh nahi aaya tha ki aakhir maine kaha toh kaha kya aur isiliye..


DUBEY-SANVY,bina laag lapeth sidhe sidhe apne kahe gaye shabdon ka arth batao...

MAI-kshama karen maananiya shikshak mahodaya..kintu mujhe mootra mukti karne ki abhilasha hai...


HAHAHAHAHA...


jahan meri baat sun puri class zoron se has padi wahin DUBEY sir ne ghoor kar dekha mujhe aur..


DUBEY SIR-toh pehle hi sidhe sidhe aisa kyun nahi kaha...???

MAI-uske liye ek baar phirse mai kshama prarthi hun..

mutra mukti..ye shabd bhari kaksha me mujhe tanik anupyukt pratit ho raha tha aur agar mai bathroom kehta toh woh angrezi hoti joki aapke aadesh ka ulanghan hota..

aur mai aisa kaise kar sakta tha...!!!


jahan meri is explanation ko sun ek baar phirse class badi zoron se has padi thi wahin DUBEY sir chalte hue theek mere saamne aakar khade ho gaye aur mujhe ghoorte hue dekhne lage..

unhe aisa karte dekh sabko laga ki aaj mujhe sir se padne waali hai..

ye saale SONU aur NITS toh aisa hoga hi,iske liye jaise palke bichayen mere aur sir ki taraf ummid lagaye dekh rahe the par tabhi.....


HAHAHAHAHAHA....


DUBEY sir zor se has pade aur unhe yun hasta dekh pehle toh sabhi students hairan hue par phir woh sabhi bhi hasne lage..

wahin kuch der tak lagatar haste rehne ke baad muskurate hue sir ne mujhe dekha aur.


DUBEY-yahin chahate hain naa SANVYJI ki aaj kaksha naa lage..


sir ki baat sun ek pal ke liye face neeche kiya maine aur ussi position ne haan me sir hilaya apna jisse dekh sir ki smile gehri ho gayi aur.....


DUBEY SIR-theek hai phir..aaj ki kaksha yahi samapt hoti hai..


jahan sir ki baat sun sabhi students aur khaaskar NITS behadh khush ho gaya wahin apni baat ko aage badhate hue...


DUBEY SIR-jaante ho kaksha rokne ke liye kyun maan gaya mai...!!!

mutra mukti jaise sadharan shabd ki bhi itni gehri vyakhya ho sakti hai,hindi vishay ka ek anubhavi shikshak hone ke baad bhi mujhe iska bhaan naa tha par tumhe hai..

itni sadharan cheez ke liye bhi hindi shabdavali ka aisa upyog prashansha aur uphaar ke laayak hai...

kaksha ko yun rok dena, ussika uphaar hai...


ye bol DUBEY SIR ek baar phir muskuraye aur saamne apni chair ki taraf badh chale..

aur sir ke jaate hi NITS chutiya mere peeth ko thapthapate hue mujhe kuch yun shabashi dene laga maano mai Olympics me desh ke liye gold medal jeet kar laaya hun...


NITS-waah lounde,waah...aaj dimag se dil khush kar diya tune..

MAI-dimag se dil..waah,ye naya tha...

NITS-haina...par meri chhod,mai toh hun hi antique piece..lekin bhai,manana padega..

sirf kuch burgers ke liye itni khatarnaak dialogue baazi ki tune,yakin nahi hota..

wakayi,ek number ka bhukkad hai tu...

SONU-cchhupp bbeee..ppar yaar SANVY,ssach mme...jjo bhi bolla tu,kammal kka tha....

kkahan se ddhundda ttune BBATHROOM kka wwaisa anokkha ddefinnattionnn....???

NITS-haan,bhai palle toh kuch pada nahi mere but sunkar bada cool lag raha tha...

MAI-aisa hai balakon ki....



aisa kuch nahi jisse ye banda DAR JAAYEGA.....

jahan koi khada tak nahi ho sakta,wahan se bhi tumhara bhai bekhouf GUZAR JAAYEGA.....

challenge accept kiya hai agar maine toh yaad rakhna ki...

mushkilen kitni hi kyun naa aaye,aakhir me SANVY apni sharth puri KAR JAAYEGA....










AAJ KE LIYE ITNA HI....











AAPKA APNA V...J....
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SIRUIS ME CLASSES SHURU HO CHUKI HAIN WAHIN DUSRI TARAF SANVY NITS KI REQUEST PAR DUBEY SIR KI CLASS RUKWA DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-3


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS


AFTER THE CLASSES:-






"AUR SATTU MIYAN"..KYA NAYI KHABAR...KITNE NEW STUDENTS AAYE HAIN IS BAAR AAPKE SECTION ME...


SAM ne pucha tha ye sawal SATISH VERMA urf jaisa ki SAM ne kaha tha,SATTU se joki tha pure school ka khabrilal...

kaun kiske saath hai, background checks aur baaki saari info related chizen inke paas first hand mil jaati hain..

khair,first day of SIRIUS off ho chuka tha aur kyunki ye summer classes the isiliye timing 9 se 12 bas thi...

isiliye kisi ko ghar jaane ki jaldi bhi nahi thi siway un students ke jo school bus se aana jaana karte the...

SAMEER,RAJAT aur EKPREET ke saath apni class ke saamne corridor me khada hi tha ki tabhi SATTU miyan aaye un sabke paas aur usse dekh pucha tha ye sawal SAMEER ne jispar...


SATTU-aaye toh bohot se naye students hain but charcha me aaj sirf ek hi bandi chhayi hui hai..



"RASHI SEHGAL"....

SAM-RASHI..naam toh sahi hai..hot kuch zyada hi hai kya...???

SATTU-hot...super hot bhai aur sirf chehra hi nahi,dimag bhi..subah se 6 ladkon ko jinhone approach kiya hai usse,gaal par chipka chuki hai un sabke..

waise bandi hai toh indian par mom uski spanish hai..ye bhi pichle 4 saal se wahin rahi hai..

gaali bhi aadhi english aur aadhi spanish me deti hai..puri spanish mirchi hai....

SAM-ohhh.spicy..kisiki daal nahi gali..

SATTU-aadhi gali hai ek hi..wahi,ROHAN ki..bas ussi ki friendship accept ki hai usne...

EKPREET-saala woh chutiya lagta hai ab ek aur nayi bandi ghumane ke firakh me hai...

HEY GUYS...KISIKI BAAT HO RAHI HAI...???


ye thi ANJALI ki awaaz jo NAISHA ke saath un sabke paas aakar khadi ho gayi jispar...


SAM-kuch nahi babes.. RASHI SEHGAL bolke koi nayi hot bandi aayi hai B section me, SATTU ussike baare me bata raha tha...


SAM ki baat sun usse ghurne lagi ANJALI jispar...


SAM-wo wo..chill babes..mai toh sabhi new admissions ki general info le raha tha isse toh isne us bandi ke baare me saamne se bataya..

EKPREET-aur SAM ki chinta mat kar tu,kyunki school ka heart throb kisi new bandi se tamacha khaate sahi nahi lagega...


EKPREET ki baat sun RAJAT aur SAM bhi muskurane lage jispar...


ANJALI-tamacha..!!!matlab...???


SAM ne ANJALI ko jo SATTU ne bataya tha,woh sab bata diya jispar jahan ek taraf NAISHA hasne lagi wahin ANJALI ke dimag me aayi ek nayi khurafat...


"aisa kuch nahi jisse ye banda DAR JAAYEGA.....

jahan koi khada tak nahi ho sakta,wahan se bhi tumhara bhai bekhouf GUZAR JAAYEGA.....

challenge accept kiya hai agar maine toh yaad rakhna ki...

mushkilen kitni hi kyun naa aaye,aakhir me SANVY apni sharth puri KAR JAAYEGA....



man hi man SANVY ka kuch der pehle class me bola dialogue budbudaya ANJALI ne..

darasal jab class me mai ye dialogue maar raha tha,tab meri baaju ki hi bench me apni ek friend se kuch lene aayi thi ANJALI aur tab usne mujhe woh lines bolte sun liya tha..

aur ab us dialogue ko budbudate hue usse jaise mujhe fasane ka tarika mil gaya tha...


ANJALI-dekhte hain MR.SANVY,kitne bade player hain aap...??


khudse hi ye bol class ki taraf nazar ghumayi usne aur aisa karte hi uske face par ek smile baach uthi..


REASON..


mai SONU aur NITS baat karte hue dheere dheere class se nikal rahe the...


NITS-bhosdike.. aunty kal se hi ghar par nahi hai aur tu abhi bata raha hai hume...

lodu,aunty ke aate tak mere ya sonu ke yahan nahi ruk sakta tha..

waise bhi,tu saath rehta hai toh mera baap kam bhadakta hai mujhpar...

MAI-waah re gandu,tera baap tujhe kam bake,uske liye mai tere ghar aakar rahun..!!!

SONU-bbakwwas mmat kkar SANVY...ppehhli bbaar ssahhhi bboll rrahha hai yye cchuttiyya...

auuntty nnahhi hhain gghar par ttoh ttujjhe humm mmesse kkissi ekk kke ghar rehhnna ttha...

NITS-aur nahi toh kya..??? waise agar hum dono bhi tere ghar ruk jaate toh sahi rehta..

actually zyada accha rehta..issi bahane 100,200 B.F bhi dekh chuke hote ab tak..

MAI-bas isiliye nahi bulaya bhosdike..tere liye b grade hall kholkar nahi baitha hun mai ghar par...

mooth se zyada safedh paani nikaal deta tu in do dino me...

NITS-abbe unwanted liquid ko bahar nikaal dene se stress door hota hai..par tum log kya samjhoge..

saale jhaantu log..

par ab woh sab chhod,aaj, infact abhi se jab tak aunty nahi aa jaati,tu mere yahan rahega..

mai phone kar deta hun,mom ko pata lagega ki tu aa raha hai toh sabkuch teri pasand ka hi banega...

saala ek toh ye samajh nahi aata ki kya mai wakayi apne maa baap ka saga beta hun ya godh liya tha un dono he mujhe..

meri pasand ka toh kabhi banta hi nahi kuch...

MAI-mujhe bhi kabhi kabhi aisa hi lagta hai.. tera baap jitna sharif hai,utna hi lawde ka baal hai tu..

NITS-beta mere baap ki shudh vaani nahi suni hai tune ab tak theek se.. mujhse dus guna zyada gaali bakta hai woh..

MAI-ab tera baap hai toh kuch toh GALATH hoga hi...khair,woh sab chhod...

mai tere ghar nahi,abhi tum dono mere ghar chal rahe ho...mom wapas aa gayi hogi..khana mere yahan hi khaiyo...

NITS-nahi yaar..hamesha ki tarah khana sunday ko hi khayenge tere yahan...

MAI-theek hai..par Sunday ko "CHETTINAD CHICKEN CURRY"nahi banegi...


(NOTE:-CHETTINAD CHICKEN CURRY ek south Indian dish hai joki meri mom ki speciality hai.. no one cooks it better than my mom..normally har sunday ye hamare ghar banta hai aur NITS aur SONU bina bulaye hi usse khaane tapak padte hain)


BACK TO THE STORY:-



NITS-kyun...???


tapak se pucha NITS ne jispar...


MAI-kyunki mom abhi bana rahi hai woh.. isiliye hi toh invite kar raha tha tum dono ko..

par koi naa, phir kabhi..

SONU-llawwdda pphirr kkabbhhi...

mmaii ttoh aa rraha hhun ttere ssaatth...

NITS-mai aa raha hun matlab...??mai kya raaste me khada hokar manjira bajaunga...??

SONU-iddea accha hhai..wwaise bbhi tteri sshakl bbhikkariyon wwalli hhi hai..ssuit kkaregga ttujjhe...

CLAP.....


sonu ki baat sun hum dono ne hi haste hue clap kiya jispar ghoor kar dekha NITS ne hume par isse pehle ki woh kuch kehta..


HIEE SANVYYYY...


ye meethi aur chashni se bhari awaaz thi ANJALI ki jo ek bade se smile ke saath mujhe dekh rahi thi..

aur uske is soft gesture ko dekh piche khade NAISHA, SAM, EKPREET aur RAJAT toh hairan hue hi par mere saath khade SONU aur NITS bhi aankhein faade usse dekhne lage..

par ye sabhi bhi jaan chuke thi ki zaroor ANJALI mujhe kisi chiz me fasane ke liye tigdam lagaye hui hai kyunki aise waqt me hi ye madam mujhe itne pyar se bulati thi...


wahin in sab ke beech SATISH urf SATTU toh mujhe dekhte hi dheere dheere khisakne laga tha..

REASON...

do saal pehle jo ROHAN & group ne mujhe akele paakar ghera tha,uska pata isne hi unhe diya tha...

aur us ladhayi me mera woh bhayankar roop dekhne ke baad se hi ye mujhse hamesha door hi rehta aaya tha...

khair,mera naam pukaar ANJALI mere saamne aakar khadi ho gayi aur uske piche piche NAISHA, SAM, EKPREET aur RAJAT bhi hamare paas aa chuke the jiske baad...


SAM-kya baat hai babes..???aaj itna pyar kaise aa gaya tumhe SANVY par...???

ANJALI-ab itne bade challenge master jo kabhi koi sharth nahi haarte,woh toh pyar aur respect dono hi deserve karte hain naa...!!!


ANJALI ki baat sun mai samajh gaya ki dubey sir waali baat isse pata chal chuki hai..

mere saath saath SONU aur NITS bhi ANJALI ki baat samajh chuke the aur isiliye..


NITS-oh betaji...ye zaroor tere lanka lagane ki soch rahi hai...


dheere se kaan me paas aakar kahi ye baat NITS ne jispar..


MAI-what do you want ANJALI...???

ANJALI-i wanna give you a challenge..accept karega ya dar gaya...!!!

SAM-wo..wo..babes no.. SANVY kuch nahi karega...

MAI-chill SAM...ANJALI, challenge accept kar,warna tu dar gaya..

ye baccho ke tricks kaam nahi karenge mujhpar..

but having said that,pehli baar saamne se kuch maanga hai tune mujhse..

bhale challenge hi sahi..mana kaise kar dun..!!! challenge accepted...bol kya karna hai...??


meri baat sun ek pal paused hi ho gayi thi ANJALI par phir...


ANJALI-alright than...B section me ek new chick aayi hai...RASHI SEHGAL...uska number laakar dikha toh maanu...!!!

MAI-sattu,idhar aa beta...


thoda zor se bola maine kyunki ab tak dheere dheere karke SATTU corridor cross kar stairs ke paas pahunch chuka tha par meri awaaz pad gayi uske kaano me jiske baad woh turant ghuma aur meri taraf wapas badha aur paas aaate aate..


SATTU-aur kya haal chaal SANVY BHAI...tu toh yaar bhul hi gaya mujhko,hain...


daant nipor ye sab bolte hue mere paas aane laga woh aur theek mere aage aakar khada hua par jab usne dekha ki mai bas chupchap usse ghoore jaa raha hun toh usse laga ki usne anjaane me mere saath kuch GALATH kar diya hai..

aur aisa interpretation karte hi uske face par jo smile thi, woh dar me badal gayi jiske baad...


SATTU-bhai maa kasam,kuch bhi nahi kiya hai maine...

MAI-khaa mat be...RASHI SEHGAL..puri info de...


meri baat sun SATTU ke chehre se dar turant gayab hua aur agle hi pal woh apne khabrilal waale avtar me turant transform ho gaya...

RASHI ke baare me jo jo baatein usne SAM,EKPREET aur RAJAT ko batayi thi,woh sab usne mujhe bhi bata di jiske baad..


MAI-abhi kahan hai woh bandi..??

SATTU-bhai,5 minute pehle toh class me hi thi...woh board se saare classes aur routines ko note down kar rahi thi...


SATTU ki baat khatm hone par ek nazar maine B section aur uske paas waale area ki taraf daudayi aur kuch seconds rook us class ki taraf badh chala jispar..


SAM-all the best buddy..

NITS-haan,bhai,dekh,tere bhai ki izzat ka sawal hai...fod dena..

ANJALI-fod dena.. seriously..usse us ladki ka number laana hai,usse maarna nahi hai...

aur maar dhaadh chhod tere us looser friend ko kuch aata hai bhi kya..??dekhna,aaj jab ladki se padegi tab pata chalega usse ki zyada ucchalna kitna GALATH hota hai..

NITS-oye ANJALI UDAASI...band kar apni UDAAS baatien......jaanti hi kya hai tu SANVY ke baare me..

fark nahi padta matter ladhayi ka ho ya kuch aur,aisa koi challenge nahi jo mera bhai uthaye aur usse pura naa kar paaye...

ANJALI-we will see...

SONU-ttu ddekkhh...hhume pehlle sse hi ppatta hhai...


wahan woh sab baaton me lage the aur yahan mai B section ke door ke bahar khada ho chuka tha..

ek pal nazar ghumayi har taraf maine aur phir..


MAI-VIVEK.....


ye naam zara zor se bolta hua class ke andar ghus gaya mai jahan siwaye ek ladki ke joki ki i was sure RASHI hi thi,aur koi nahi tha...

routines likh liye the usne aur copy apne bag ke andar hi rakh rahi thi woh ki tabhi meri awaaz sun uski nazar entrance ki taraf gayi jahan se mai andar aa raha tha..

dekh mai bhi ussiko raha tha..bandi wakayi hot thi..red blazer,andar white shirt,black & white zebra print tie aur waisi hi skirt joki SIRIUS ka girls dress code tha,kaafi jach raha tha ye costume uspar...

anyways,check out kiya nahi maine zyada usse aur ek baar nazar us khaali class room ne ghumane ke baad...


MAI-VIVEK KHUJOOR...kitni der hue usse class se nikle..


sidhe sawal hi kiya maine usse ye jisse sun..


RASHI-i don't know.. actually i haven't got every bodies name yet..

MAI-ohh.. so you are new..hey..i am SANVEER...friends call me SANVY....


meri baat sun ek pal ghura RASHI ne mujhe aur phir sir daayen baayen shake kar...


RASHI-seriously.. that's your way to approach a girl..pehle kisi random bande ka naam lo aur ussi bahane naam aur intro maang lo..

that's shit..next time,try some thing better but not with me..


"TODOS USTEDES SON MERODEADORES"(YOU ALL ARE LURKERS)


aakhri baat ya phir ye kahun ki taunt spanish me boli usne aur apna bag pack karne lagi..

wahin mai uski baat par smile karta hua araam se khada hi tha ki tabhi mujhe door ke bahar kuch aahat feel hui aur woh sun mai turant palta..


ROHAN MALHOTRA...


ye wahi tha jo kuch aur girls ke saath class me enter kar raha tha aur jahan RASHI ko dekh uske face par smile naach uthi thi, wahin mujhe dekh uski woh smile toh ek pal me gayab ho hi gayi par saath hi saath uska pura facial expression hi change ho gaya..

usse lag raha tha ki subah ke liye mai usse maarne ke liye yahan aaya hun aur ye feel kar dar uske face par saaf dikhne laga..

wahin ghoor mai bhi usse raha tha aur isiliye...


ROHAN-dekh SANVY...i dont wanna mess with you...aur abhi hum class me hain..yahan agar kuch hua toh webcam ke through PRINCIPAL ko pata chal hi jaayega aur is baar nahi bach paayega tu..


ROHAN ki baat sun mai uski taraf badha..waise aur koi mauka hota toh ab tak ROHAN bhaag khada hua hota but RASHI jo pehle hi uske mere aage behaviour ko dekh hairan thi,uski nazar me woh khudki aur faziddat nahi karwana chahta tha..

isiliye darte hue hi dhamki di thi usne mujhe jispar uske paas pahunch...


MAI-tujhe maarne ke liye jagah ki fikr karne ki zaroorat nahi hai SANVY ko..

jahan chahun,wahan maarunga mai tujhe aur araam se bach kar nikal bhi jaaunga..lagata hai sharth toh dikhaun karke phir...


meri baat par kuch kaha nahi ROHAN ne.. kuch seconds mujhe ghoorte rehne ke baad palath class se bahar nikal gaya woh aur aisa hote hi mai rashi ki taraf palta jo aankhein faade mujhe hi dekh rahi thi...usse dekh...


MAI-not all guyz are lurker miss..


usne jo spanish me kaha tha,ussika jawab maine english me diya jisse sun aankhein aur zyada badi ho gayi uski jisse uski aakhri hadh tak pahunchaya meri agli baat ne..


MAI-buts it's ok..i understand..waise bhi...


SOY RESPONSABLE DE LO QUE TE DIGO,NO DE LO QUE ENTIENDES...


(i am responsible for what i say,not for what you understand)


spanish me is kahawat ko bol mai muskurate hue class se bahar nikal gaya..


B section se nikal mai apni class ki taraf badh chala jahan mere sabhi dost aur khaas kar ANJALI mera wait kar rahe the aur mujhe dekh woh sab turant meri taraf lapke aur phir....


NITS-mila bhai number..mil hi gaya hoga.bhai,sabse pehle number mujhe de... apni class se us RASHI ke saath apni rashi bhidane ka kaam tera bhai hi karega...

MAI-number de deta tujhe bhai par ab tak mila nahi mujhe...


YESS..YESSS..YESSS....


meri baat sun jahan ek taraf NITS ka mooh utar gaya wahin ANJALI meri haar par khushi ke maarne apni jagah par ucchalne lagi.

usko yun fudakdte dekh NAISHA, SAM, EKPREET aur RAJAT hasne lag gaye the..


wahin kuch der tak yunhi bandaron ki tarah ucchalte rehne ke baad ANJALI ruki aur meri taraf ghum..


ANJALI-toh the great SANVEER AHARYA challenge lene ke baad haar gaye,haan..!!!

NITS-saale,tere jaane ke baad kitni badi badi baat ki thi maine tere baare me..sabke saamne naak hi kata di tune meri...

ANJALI-so,mr SANVEER AHARYA..maante ho na khudko looser...

MAI-kabhi nahi...aur isse pehle ki tu koi naya faaltu dialogue maare..just wait for some time..

ANJALI-acha..aur usse kya hoga..kya woh ladki khud yahan aakar tujhe apna number..!!!???


EXCUSE ME...SANVEER....


ANJALI ke aakhri shabd bote hi uske thode piche se aayi ye awaaz joki RASHI ki hi thi..

jahan uski awaaz sun ANJALI ka mooh ek dum se band ho gaya wahin RASHI ko dekh NITS ka toh mooh pura ka pura khul chuka tha..

aur aisa hona laazmi bhi tha..RASHI has the looks to die for..

SAMEER, EKPREET aur RAJAT bhi RASHI ko checkout karne me lag chuke the jiski pratikriya me RAJAT ki G.F, NAISHA ne usse pinch bhi kar liya tha..

anyways,in sab se alag RASHI ne jaise hi mujhe pukara,mai ANJALI ki side se hota hua uske saamne jaakar khada ho gaya jispar..


RASHI-hye & class me rude behave karne ke liye sorry... actually subah se itne random bando ne approach kar liya tha ki unka ghussa tumpar nikal gaya...

MAI-strange...random toh mai bhi hun...

RASHI-i don't think so...random bande slangy lines bolkar khudko cool show karte hain,tumne aisa kuch nahi kiya...

MAI-point..

RASHI-by the way i am RASHI SEHGAL...

MAI-SANVEER AHARYA...

RASHI-well that i know..what i want to know is ki are you from spain...or are your parents or either of them from their...???

MAI-nopes..pure indian...

RASHI-so how come itni achi Spanish bol lete ho tum...???

MAI-hahaha..ek sentence bol lene se spanish nahi aa jaati..

RASHI-mai samjhi nahi..

MAI-tumne kaha tha na ki try something better...toh tumhe approach karne se pehle woh quote spanish me rat liya tha maine...

socha kaam kar jaayega...

RASHI-hahahahaha... that's really smart..aur woh kaam kar bhi gaya... friend...!!!


ye bol hand shake ke liye apna haath aage kiya RASHI ne apna jispar maine uska haath pakda aur..


MAI-can i have your number...???

RASHI-ohho..i must say,kaafi tez ho tum...abhi abhi dosti hui aur sidhe number...

MAI-matlab number nahi dogi...??

RASHI-aisa toh nahi kaha maine..phone do apna,mai save kar deti hun...

MAI-ANJALI.. phone do beta apna...


bade pyar se bulaya maine apne piche khunnas me khadi ANJALI ko jisse sun mere sabhi dost hasne lag gaye..


wahin ANJALI ka mobile jo woh apne haath me hi pakdi hui thi,usse jhapat chhin liya maine aur uske thobde ke saamne rakh diya...

face recognition on tha uske phone me aur isiliye face detect karte hi lock khul gaya uska jiske baad mobile RASHI ko pakda diya maine jispar pehle se hairan khadi RASHI ne mujhe dekha aur....


RASHI-tum uska phone kyun de rahe ho mujhe...???

MAI-kyunki tumhara number mujhe nahi,in madam ko chahiye tha...

RASHI-really..but kyun...???

MAI-woh actually madam nayi nayi lesbian me convert hui hain aur tum inki pehli crush ho...


HAHAHAHAHA....

DHABBBBB.....


jahan meri baat sun RASHI ki aankhein badi ho gayi, ek baar phirse baaki sab zoron se hasne lag gaye wahin ANJALI ne maara mere peeth par ek zor ka mukka jispar mai bhi has pada aur..


MAI-baaki ki details ANJALI aur in teeno se le lena..mai late ho raha hun..bye..bye guys....

un sabko bye bol bina aage kuch sune NITS aur SONU ko liye mai wahan se nikal gaya jiske baad..


SAM-dont take him seriously.. actually ANJU ne usse sharth lagayi thi tumhara number laane ki jo woh jeet gaya...

by the way,i am SAMEER..

RASHI-i know..afterall,SIRIUS jaise school ke heart throb ko kaun nahi jaanega...ROHAN aur tum sabse zyada famous ho yahan..

morning se hi sabhi girls tum dono ke baare me hi drool kar rahi hain...


iske baad SAM ne RASHI ko ANJALI, EKPREET,RAJAT aur NAISHA ka bhi proper intro de diya aur phir lage woh sab apne chat par..

toh inhe inki new bonding karne dete hain aur hum chalte hain wapas apne hero ki taraf...



SANEEL'S RESIDENCE....



aaj bhi yahi naam jagmagata tha SANVEER ke ghar ke bahar lage name plate par jiske side me roki NITS ne apni scooty jiske baad...


NITS-MMMMMMMMMM..bhai kya khushbu hai yaar chicken ki..saali bhook badh gayi...

SONU-llakk llakkk shukriya uss mmarre hhue mmurrge kka jjisne isski bbakwass bband kkarwwa di....


school se abhi tak lagatar RASHI ke saath apne future imaginary relationship ke khalayi pulaav pakata aa raha tha NITS jisse finally chicken curry ki khusboo ne viraam laga diya tha..

khair,SONU ki baat sun..


NITS-saala jalta hai ye mere sunahare bhavishya ki kalpana se..par abhi aur koi topic par discussion nahi hoga..

chalo yaaron,pehle chicken pelte hain..sabse pehle mai hi apni pasand ke pieces lunga bata deta hun..

beech me mooh aur haath mat maariyo dono..


ye bol ghar andar bhaagne ko hua NITS jispar..


MAI-rook ja gandu..abhi 15 minute hai chicken banane me...araam se chal...

NITS-lawda 15 minute..tujhe kaise pata...!!!

MAI-andaza lagaya...


ye bol mai un dono ke saath main door ki taraf badh chala..

chota sa par kaafi beautiful ghar tha mera..

single storey 2 bhk ghar jiski shuruwat hoti thi ek chote se aangan se..angan me bana tha ek chota sa garden jisme gulab ke teen varient,red,pink aur white colour ke poudhe lage hue the...

saath hi saath arabian jasmine (mongra) ke bhi kayi poudhe lage the aangan ke dono taraf...

aangan ke end par the woh 8 stairs jinhe chadh main door ke paas jaaya jaata tha..

main door se enter karte hi ek meduim size hall jiske centre end me meri is ghar me sabse pyari chiz rakhi hui thi..

AQUARIUM jo mom ne aaj se 3 saal pehle mere birthday ke din kharida tha..

sofa aur dusri saaj sajja ki chizon ke saath hall me hi ek dining hall bhi laga tha jahan normally raat ko hi jab mom aur mai ek saath ghar par hote the, saath baith kar dinner karte the but occasionally, jaise ki aaj jab unki field trip joki DOIWALA me thi,MAA jaati thi toh unka return dopahar me hi ho jaata tha sur sise me lunch bhi hum saath hi karte the...

anyways, main door joki khula hua hi tha,usse hote hue hum andar hall me pahunche jahan pehle hi chicken banane waali kadchi aur apni sadabahar smile liye meri maa hamare taraf hi mooh kiye khadi thi aur hume ya phir ye kahun ki mujhe dekh unki woh smile aur badh gayi..

aage badhne se pehle is pehle chapter ki sabse behatarin character, MRS VERONICA PAUL AHARYA ka intro ho jaaye..


(VERONICA PAUL AHARYA..naam aur pehle surname se hi pata chal gaya hoga aap sabko ki christian hain ye...

waise shadi ke baad apna surname sirf AHARYA karna chahti thi ye but dad ne aisa unhe karne nahi diya...anyways, VERONICA PAUL AHARYA ka facial description chand lafzon me nahi kiya jaa sakta...

khubsurti ki aakhri hadh hain ye..ek line me bolun toh agar kisi GODDESS ko human face diya jaaye toh woh kuch inki tarah hi dikhengi...

5.8 height,rang kashmiri fair jisme halki natural pinkish radiance mixed thi,inke vyaktitv ko aur nikhar deta tha...

40 ki umar hai filhal inki par dekh kar koi nahi keh sakta ki inka SANVEER jaisa bada beta hoga..

inke pati ki death ke baad najaane kitne hi logon ne approach kiya inhe shaadi ke liye par inhone sabko mana kar diya..

inka inke bete ke saath relationship aisa hai ki dekhne waalon ko yahi lagta hai ki SANVEER ko VERONICA se behter MAA mil hi nahi sakti thi joki sach bhi tha aur SANVEER is baat se ittefaq bhi rakhta tha but kehta aur dikhata kabhi nahi tha.

SANVEER ka ghussa,uski stubbornness bhi jaise ye handle karti thi,woh kabile taarif tha.. profession se ye B.O.B ki DEHRADUN DISTRICT bank me SCALE 3 FIELD OFFICER thi..

75 thousand salary thi inki jisse 6 thousand toh P.F aur baaki investment plans me chala jaata tha par inka sabse bada kharch joki 40 thousand har mahine ka tha,woh hota tha SANVEER ki monthly fees me...

bohot hi simple life jeeti thi ye aur kabhi khudpar koi bhi kharch karne se pehle inhe bas SANVEER ke expenses ki chinta rehti thi...

toh ye tha MRS VERONICA PAUL AHARYA ka ek chota sa intro..baaki toh kahani ke aage badhne ke saath saath inhe aap aur behatar samajh hi jaayenge....


isiliye filhal ke liye BACK TO THE STORY:-



HELLO AUNTY...HHELLO AAUNNTY...



maa ko dekhte hi SONU aur NITS ne unhe wish kiya jispar ek pyari si smile dete hue..


MAA-hello bacchon..chicken banane me bas 10 se 15 minute aur lagenge.. tab tak freshen up...

chicken ke baare me jo maine bataya tha,wahi MAA ne bhi bataya jisse sun..

NITS-gazab lounde... calculation toh ekdum sahi baitha tera...


dheere se fusfusaya NITS mere kaano me..wahin is beech mom hamare paas aa chuki thi jiske baad...


MAA-hello my baby..kaisa hai mera champ....???


apne left hand se mere baal ko bigadte hua mere gaalon ko chum kahi ye baat maa ne jispar..


MAI-MAA,not my hair..kitne baar bola hai mat kiya karo aise...and stop kissing me..mai 5 saal ka nahi hun ab...


mooh banate hue ye saari baat boli maine aur bag sofe par fekh wahin baith saamne table par rakhi bottle se paani peena laga jispar..


NITS-saale tujhe pata nahi hai ki kitna lucky hai tu jo aunty tujhe itna pyar se chum kar greet karti hai..

ek meri maa hai jo har baar mera swagat koi na koi gaali dekar hi karti hai...

MAI-ab teri shakl hi aisi hai toh isme aunty ka kya kasoor...

maa,jaldi karo naa,bhukh tez lag rahi hai..


maa jo humari baaton ko sun bas muskura rahi thi, meri aakhri baat sun jaise unhe achanak se hi chicken ki yaad aayi aur..


MAA-arre,mai bhi naa...bas 10 minute baitho baccho..lunch completely ready ho jaayega...

SONNU-nnahhi nnahhi aaunnty..isski bbat mmat ssuno...

jjitnna timme lagnna hhai,laggne ddo..humm waitt kkarrengge..

NITS-aur nahi toh kya...???saale, aunty aaj hi trip ae aayi hai aur aate hi khana bhi banane lag gayi aur tujhe aur jaldi padi hai..

araam se hoga sab..bhuk zyada lag rahi hai toh bahar jaake khaale kuch...

MAI-whatever..mai chala fresh hone...

MAA-tum dono bhi fresh ho jaao beta...

SONU-nnahhi aunnty..hhum ppehle aappkki hhellp kkarennge...

NITS-exactly...

MAA-uski zaroorat nahi hai bacchon..sab kuch ho hi gaya hai..

NITS-phir bhi..hum toh madad karenge matlab karenge..aur aap mana nahi karengi...

MAA-theek hai bhai..chalo, plates nikalne me madad kar do tum dono..

NITS-now that's more like it..


ye bol MAA,NITS aur SONU ek saath kitchen me chale gaye..


jahan MAA chicken me kadchi chalane lagi wahin andar store room se NITS aur SONU plates nikalne lage aur is dauran..


NITS-aap kitne baje aaye aunty..???

MAA-bas beta,1 ghanta hua hai..

NITS-really..aur aate hi khana banane lag gayi aap...aur woh bhi chicken.... matlab aap market bhi gayi...

kya zaroorat thi iski...???

MAA-relax baccho..mujhe SANVY ke liye khana banana acha lagta hai..

infact apne field trips me bhi mujhe bas yahi baat khalti hai ki SANVY ko khud apne liye khana banana padega..

aur rahi baat chicken ki toh woh mujhe laane ki zaroorat hi nahi padi...

SANVY ko maalum tha ki kuch bhi ho jaaye,mai aate hi uske liye khaana aur khaas kar chicken joki tum dono ki hi tarah, uski bhi favourite hai,banaungi hi...

chicken shop morning 6 baje hi khul jaata hai..SANVY ussi time jaakar chicken le aaya tha..

waise aaj SANVY school late pahuncha tha naa...

NITS-haan,aapko kaise pata..???

MAI-rice,daal aur uske haathon ki bani meri favourite dish PANEER PASANDA jo bana rahe the janab subah se..

late toh hoga hi...


MAA ki baat sun NITS aur SONU ek dusre ko dekhne lage jiske baad..


NITS-is saale ko bachpan se jaanta hun mai par kya kabhi isse samajh bhi paaunga mai...


jahan NITS ki baat par mom bas smile karne lag gayi wahin SONU ke man me kuch sawal the jo usne khudme daba kar rakhe the par woh aaj puchna chah raha tha woh saare sawal aur isiliye...


SONU-aunntty,aggar aappkko bburra nna llage ttoh mmai kkucch ppucchhun...???

MAA-tumhe bhumika baandhne ki zaroorat nahi hai SONU..tum mere liye SANVY se kam nahi ho.jo puchna hai pucho...???

SONU-SANVY kkabbhi bbhi appne dad kke barre mme bbaat nnahi kkarta...

shhurru shhurru mme hhum jjab usse unnkke bbarrre mme ppuchte tthe ttoh wwoh ya ttoh bbaat gghuma ddeta ttha yya nnarraz hho jjata tha...

kkayi bbaar mmaine usse hall mme lagi uncle kki photto ko ddekhkkar bbhi anndekkha kkarte ppaya hhai..

aissa kkyun....???


SONU ki baat par mom ke face par hamesha se dikhne waali smile ek pal ke liye gayab ho gayi aur ye dekh SONU ko laga jaise usne kuch GALATH puch liya tha aur isiliye..


SONU-aunnty,aggar mmaine kkoi GGALATHH...

MAA-aisa kuch nahi hai beta..bas,unka zikr hua toh unka face aankhon ke aage ghum gaya..

SANVY naraaz hai apne dad se isiliye unki baat ya zikr ko neglect kar deta hai...

NITS-naraaz hai...!!!par kyun...!!!

MAA-SANEEL ek accident me guzre the..

NITS-hume pata hai aunty..bas itna hi bataya hai uncle ki death ke baare me SANVY ne hume..

MAA-jaanti hun..kyunki puri baat woh hai jiski wajah se woh apne dad se naraaz hai...

darasal jis accident me SANEEL guzre the,woh accident asal me unke best friend ka tha aur unhi ko bachane ke liye SANEEL beech me kood pade the...

kisi aur ke hisse ka mout unhone khudke gale laga liya tha aur isiliye SANVY naraz hai unse..

usse lagta hai jaise SANEEL ne apne us dost ko mujhse aur usse upar rakha..

kisi aur ki mout ko khudke liye chunte waqt unhone ek baar bhi mere aur unke bete ke baare me nahi socha...

NITS-strange... SANVY aisa sochta hai jabki woh khud kayi baar mere aur SONU ke liye kisi se bhi bhid jaata hai bina ye soche ki isse usko kitna khatra ho sakta hai...

MAA-kyunki us waqt woh ek dost ki tarah sochta hai par jab baat SANEEL ki aati hai toh woh ek bete ki logics lagata hai..

ye dono baap bete ek se hi hain par SANVY is sach ko maanana nahi chahta aur mai is fact ko uspar impose nahi karna chahti...

apne me hi khoye hue maano apne late husband aur bete ko ek hi frame me dekh rahi hon,kahi ye baat MAA ne jisne SONU ke sawalon ko jaise ek jhatke me hi rok sa diya..


wahin mahoul ko serious dekh uska rookh modhe ke liye..


NITS-waise aunty ek baat jhooth boli aapne...


NITS ke is naye sawal se naa sirf MAA apne khayalon se bahar aa gayi balki unke face ki woh swabhavik smile bhi lout aayi aur..

MAA-ab maine kaun sa jhooth bol diya bhala...!!!!????

NITS-aapne aapke is special chettinad chicken ko SANVY ka favourite bataya par aisa toh hai hi nahi..

MAA-acha.. aur tumhe aisa kyun lagta hai...???

NITS-common aunty..ye toh obvio hi hai..humne yahan uske saath baithkar saikdon baar aapki ye dish khaayi hai.

aur jab bhi khayi hai,taarif ki hai woh bhi nonstop..

par aaj tak SANVY ne toh kabhi taarif toh door ki baat hai, chicken acha bana hai,ye tak nahi kaha..

jab bhi pucha hai aapne toh har baar bas itna hi bola hai usne"hmm,theek hai"...


SANVY ki nakal karte hue kahi ye baat NITS ne jispar uske bhi gaal kheench liye MAA ne aur phir..


MAA-SANVY ne har baar taarif ki hai..bas tumne dekhi nahi...

NITS-hain..!!!ab ye kya baat hui..??? waise aunty,taarif bol kar ki jaati hai,dekh kar nahi...

MAA-par SANVY dikha kar karta hai.. chicken ka first bite lete hue uski aankhein taste lete hue band ho jaati hain aur phir aati hai uske face par ek million dollars smile joki mere liye sabse bada compliment hota hai..

ab baatein chhodo aur plates lekar jaldi chalo..


SANVY already dining table par baith gaya hoga...

ye bol chicken waali puri kadhayi ko hi do kapdon ki madad se uthate hue MAA hall ki taraf badh chali...

unke piche piche plates liye SONU aur NITS bhi chal pade..

aur jaisa MAA ne kaha tha,scene waisa hi tha..

mai already dining table par apni permanent jagah yaani mom ki seat joki centre me head of the family ki hoti hai,uske left me baith chuka tha...

aur ye dekh..


NITS-baith gaya tika ke..aisa nahi ki kitchen aakar thodi help kar de...

MAI-tum dono ko kyun laaya mai phir...chalo jaldi karo,bhuk tez lag rahi hai...

DHAMMM..

mere aisa bolte tak ek ek mukka meri peeth par chipka diya saalon ne jispar peeth chair par ragadte hue dono ko gaali dene laga par normal waali..

ab maa ke saamne toh apna sabse bada hunar,shudh vaani ki bouchar nahi kar sakta tha naa..

anyways,kuch hi der me mom aur NITS,SONU ne milkar rice,paneer pasanda,daal fry,saladh aur mom's special CHETTINAD CHICKEN CURRY table par laga diya tha..


NITS aur SONU theek mere opposite mom ke right ki taraf baithe the..

jahan mom hum teeno ki plate me baari baari saari dishes daal rahi thi, wahin NITS aur SONU ka toh pura dhyan mere upar hi tha..

REASON...

mom ki mere baare me boli gayi theory jo check karni thi unhe..wahi chicken khaate waqt bolkar nahi,facial expressions se dikhakar taarif karne waali...

khair,hum teeno ko serve karne ke baad mai utha aur mom ki plate me saare dishes daalne laga...

unke liye jo maine morning me hi unka favourite PANEER PADSANDA banaya tha aur jisse woh abhi garam karkar laayi thi,usse alag chote se plate me daala maine..

aur mere aisa karte hi mom baaki saare dishes se pehle spoon utha PANEER hi taste karne lagi aur ye dekh maine turant ek glaas paani bhar unke aage kar diya jisse dekh...


NITS-abbe aunty ko theek se khaane toh de..pehle hi paani kyun aage kar raha hai...

MAI-khud hi dekh le...

HICH...HICH....


PANEER mooh me daalte hi MAA ko aayi tez hichki jiske baad unhone turant mere haath se paani ka glass liya aur paani peene lagi..

wahin ye sab dekh NITS aur SONU bohot hairan hue aur..


NITS-tujhe kaise maalum tha ki aunty ko hichki aane waali hai...???

MAI-jab bhi ye chawal se pehle kuch bhi masaledaar chiz pehle khaati hain toh inhe hichki aati hai aur khaaskar tab jab breakfast theek se naa kiya ho..

haina MAA...


ghurkar dekha MAA ko maine ye aakhri baat karte hue jispar mom muskurayi aur..


MAA-woh DOIWALA highway ke paas ek naya B.O.B branch banane waala hai..ussi plot ke inspection ke liye jaana tha mujhe toh early morning nikalna pada...

isiliye bas light hi khaya tha kuch..

MAI-bhaad me gaya aapka kaam..pehle bhi bola hai maine ki health pehle dekha karo aap..


turant bhadka mai par mera aisa reaction MAA aur SONU,NITS ke liye bhi common tha isiliye mom ke saathwoh dono bhi muskura diye..

MAA ne hamesha ki tarah mere baal bigadte hue sorry bola mujhe jispar bina kuch bole chicken ka ek piece utha liya maine..

mom toh har baar mere is moment ko dekhti thi par aaj unse kayi guna zyada curiousity ke saath NITS aur SONU mujhe dekh rahe the..

unhe janana tha jo mom ne kaha,woh sach hai ya nahi..

par MAA kabhi GALATH hoti hai bhala...!!!

chicken khaate hi aankh band ho chuki thi meri aur agle hi pal jis smile ko dekhne ke liye maa itni mehnat se ye dish banati hai,woh chaa gayi mere pure face par jisse dekh ek taraf MAA khush ho gayi wahin SONU kabhi mujhe dekhte toh kabhi MAA ko...

MAA apne bete ki har harkat se uski har bhaavna pehchaan leti hai aur beta...

usse woh pal tak pata hai jab uski maa ko hichki aane waali hoti hai...

in dono hi bhaavon ko mehsoos sa kar rahe the is waqt woh dono aur saath hi saath man ke andar gunj se rahe the unke ye shabd...




dikhate kuch bhi nahi par dikh SAB JAATA HAI....

ye prem ka niwala hai,bade araam se KHILAATA HAI....

shayad issi paak-e-mohhobbat se rakhi hogi kisine ibaadat ki neev....

aise samarpan se hi toh RAB,RAB KEHLAATA HAI....











AAJ KE LIYE ITNA HI....












AAPKA APNA V....J.....
 
expectations
Super-Moderator
22,071
14,530
143
wonderfull update bhai ji aapki story ka har update ek se badhkar ek hota hai ek sath 3 update diye sukriya
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VERONICA APNE BETE SANVY KO NAYI BMX GIFT KARTI HAI WAHIN DUSRI TARAF PRINCIPAL RANJANA MATTHEWS SAM AUR BAAKI SABKO BATATI HAI KI JAIDEN CHOWDHARY KO SANEEL AHARYA HARA CHUKE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-5


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS




DHABBB....

AHHHHH....

PUNCHING BAG SAMJHA HAI KYA BHOSDIKE....????


SAM ne maara tha mere shoulder par ek kas kar mukka jispar apne kandhe ko sehlate hue zor se chillakar gaali diya maine usse..

ESSEMBLY ke baad abhi abhi class loute the hum aur abhi mai apni jagah par baitha hi tha ki mere paas aa mukke se swagat kiya tha SAM ne mera..

mere usse gaali dene par puri class ki nazar hum par padi thi par care naa toh kisi aur student ne kiya aur naahi SAM ne...

ulta ek aur mukka jama diya usne mere shoulder par jispar mai phir usse gaali deta ki tabhi..


SAM-kuch mat bolna chutiye tu...nahi toh aur pelunga...saale,BMX le li tune aur mujhe bataya bhi nahi..

woh toh RAJAT ne aaj tujhe school entry karte waqt dekh liya aur bata diya mujhe warna saale tu toh aage bhi nahi batane waala tha...

MAI-gaandu,BMX li hai,BMW nahi jo chowda hokar batata phirun..

aur saale RAJAT,is NAISHA ke sangati me rehkar tu bhi chugalkhor ho gaya beta...

NAISHA-haha..very funny... baatein khud chhupata hai aur galti hamari nikalta hai..

MAI-seriously..ek BIKE ke baare me naa open karne ko baatein chhupana bolte hain...

aur tu,bada daant nipor rahi hai..waise bata dun ki advertisement safedh daanton ka hota hai,peele daanton ka nahi...


ANJALI joki SAM ko mujhe maarte dekh has rahi thi,usse kahi maine ye baat jispar....

hahahaha...

puri class has padi aur ye dekh...


ANJALI-shut up....


chillakar bola ANJALI ne sabko jiske agle hi second sabki hasi gayab ho gayi..

wahin ye dekh..


MAI-arre waah..daadi amma ho gayi tu toh class ki..sab maante hai teri baat...

waise agar dhai kilo ka make up jo tu apne thobde par poththi hai,usse hata le toh tera asli face toh dokri waala hi hai..


HAHAHA..

ek baar phir has padi puri class par is baar sabko chup karane ke bajaye woh us hasi ki jadh matlab ki mere paas dhaddhadati hui chali aayi aur..


ANJALI-SAM,ek meri taraf se bhi ek lagao toh...

MAI-oye,daan nahi de raha woh jo apni taraf se bhi dene ko bol rahi hai...

SAM-tu chup be..aaj toh khaayega hi tu...

ANJALI-haan SAM.. just give it to him...ispar naa woh waala technique use karo jo kal karate class me tumne apne opponent par try kiya tha...

what was that..!!!haan,elbow strike, body palpatation...

bohot haath pair chalata hai na tu SANVY... but haath pair kab aur kis tarah chalane hain,kis angle me chalane hain,SAM knows the best about it..

his rank is now the GREEN BELT WITH DASH...naam bhi suna hai kabhi...


is tarah se boli ANJALI ne ye baat jaise SAM ne nahi balki usne khudko GREEN BELT WITH DASH rank me upgrade kiya hai.

khair,uski baat sun halka sa hasa mai aur...


MAI-nahi maate..hume itna gyan kahan...!!!!GREEN BELT WITH DASH ka naam toh nahi,haan 111 KYU ke baare me suna hai maine...

ANJALI-hmmp...ab jitna level hoga,utna hi toh knowledge hoga naa...


jahan ek baar phir meri aur ANJALI ki behes par RAJAT,NAISHA aur EKPREET has rahe the, wahin meri aakhri baat ko sun apni vishesh tippani dete hue jab ANJALI muskurane lagi toh usse dekh..


SAM-babes...GREEN BELT WITH DASH ko asal me 111 KYU hi kehte hain..


KKHHMMMMMM...


SAM ki baat sun mere baaju me baithe SONU aur NITS ko ek hasi ka thaska sa laga jisse unhone apni narazgi ke chalte control kar liya..

par RAJAT, NAISHA aur EKPREET thoda zor se has pade..

wahin SAM ki baat sun ANJALI ko toh mooh hi chota sa ho gaya jiske baad woh mujhe ghurne lagi aur tabhi...


GOOD MORNING STUDENTS....


class me enter karte hue hamare class teacher MAALVIYA sir ne hume greet kiya jiske jawab me sabhi students ne bhi same gesture diya..

wahin sir ko dekh SAM, EKPREET,RAJAT,NAISHA aur ANJALI jo ab bhi mujhe ghur rahi thi, apni seats par chale gaye..

jahan sir register open karne me lag gaye wahin mai muda SONU aur NITS ki taraf aur...


MAI-abbe jhaantuon..kab tak naraaz lugayi ki tarah mooh fulaye rahoge be...


meri baat sun bhi apna apna sir aise saamne rakhe woh dono maano meri awaaz unke bedhange kaano tak pahuchi hi naa ho..

chaliye,aage badhne se pehle jaan lete hain in dono mahanubhavon ke naaraz hone ka kaaran..



A SMALL FLASHBACK FROM YESTERDAY



"WHAT"....????


PRINCI MA'AM ne jo SANEEL AHARYA matlab mere dad ke naam ka bomb foda tha,usse sun SAM, EKPREET, RAJAT, NAISHA,SONU aur NITS ne mujhe gher liya jiske baad...

waise ghera toh ANJALI ne bhi tha par woh chup thi..

aur RASHI,usse toh kuch pata hota toh kuch samajhti...

par sabke reaction ko aur unhe mujhe gherne ko dekh RASHI bhi chownki aur...


RASHI-ye SANEEL AHARYA ka naam sun tum sabne SANVY ko kyun gher liya...??

oh my god...!!SANEEL AHARYA..and your full name is SANVEER AHARYA... SANVY,are you connected to SANEEL AHARYA...

MAI-wow...kaafi jaldi catch kar liya tumne.. yes,he was my father..aao tum bhi ghero mujhe...

RASHI-was,as in..???is he...!!!

MAI-yup..he is no more..

RASHI-oh,i am so sorry..

MAI-its ok..aur tum sab..ghurna band karo be mujhe..

SONU-cchup bbe...ccchuppana ttu bband kkar ppehle hhum sse ssab kkuchh....

NITS-aur nahi toh kya..???itni badi baat tune hume batani zaroori bhi nahi samjhi...

MAI-oh bhai,kamre ko godaam mat bana..chhupaya kuch nahi maine...mujhe toh khud nahi pata tha...

EKPREET-ghanta..beta,hume naa lapeth paata tu..

MAI-abbe,tu maanja hai jo lapetun tujhe mai...mujhe sach me nahi pata tha..

aur tum log khud socho..mai class 2 me tha jab dad guzre the..

ab us umar me dad mujhe apne baare me ye saari baatein thodi naa share karte..

waise bhi,dad open person nahi the...unhe show-off zara bhi pasand nahi tha aur iska saboot toh aaj jo ma'am ne bola,ussi se pata chalta hai...

agar wakayi mere dad ne JAIDEN CHOWDHARY jaise champion ko haraya hai toh how come ki puri school ko ye baat nahi pata...

it's obvious naa..unhone kabhi kuch disclose hi nahi kiya..


FLASHBACK ENDS:-


kal meri pesh ki gayi un saari dalilon me dum tha aur isiliye baaki sab meri baat se ittafaq rakh gaye siway SONU aur NITS ke...

in saalon ne pata nahi kaise par sung sa liya tha ki mai jhooth bol raha hun..

ab saale the bhi toh mere dil se jigri....mere dimag ko naa sahi,dil ko toh padh hi sakte the..

isiliye kal baakiyon ke saamne toh in dono ne kuch nahi kaha but uske baad saalon ne mujhse bhi baat nahi ki..

BMX chalane ke liye ladh mar rahe the ye dono jiska zikr bhi nahi kiya tha uske baad se in dono ne..

ek do baar samjhaya bhi tha kal dono ko par jab mooh sada hi raha inka toh gaand marao be,bol kar ghar chala gaya tha mai.

par aaj bhi subah se dono ne manhooson waali mooh banayi hui thi jo ab bhi jaari thi...


PRESENT SIR...


mere lagatar kochanke ke baad bhi saale dono me se kisi ne kuch nahi kaha aur mooh khula bhi baari baari se toh apni haazri lagane ke liye isiliye ek baar phir kal waali baat repeat kar di maine..


MAI-gaand marao be...


ye bol maine bhi in dono ki tarah manhooson waali shakl bana li aur dekhne laga saamne par tabhi...


MAY I COME IN SIR....


class ke entrance se aayi ye nayi aur meethi si awaaz jisse sun sir ke saath hum sabhi ka chehra ys awaaz ki disha me ghum gaya aur jo nazara hum sabke saamne tha,usse dekh saare students ki aankhein us nazare me atak si gayi..

SIRIUS ke uniform me halke make-up ke saath whitish pink colour ka haseen rukhsaar liye ek be-intehan khubsoorat chehra hum sabke saamne khada tha...

mujhe toh aisa lag raha tha ki us husn-e-tajmahal ko dekh MAALVIYA sir bhi ek pal ke liye apne bachpan ka pyar, ANSHUMALA MISS ko bhul gaye honge...

anyways,us ladki ko ek pal dekh..


MAALVIYA sir-yes,come in...& you are...???

GIRL-good morning sir..myself KHANAK RAWAT...new admission...

MAALVIYA sir-KHANAK RAWAT
..yes,yes..mujhe kal hi tumhare transfer papers mil gaye the..

kya baat hai..!!!apne first day me hi late...???

KHANAK-sorry for that sir.. actually, transfer papers ki ek copy mujhe management desk me bhi submit karni thi..

isiliye late ho gayi..

MAALVIYA-koi baat nahi.. welcome to the class and most importantly,SIRIUS..

baithne se pehle apna intro apne classmates ko do...


MAALVIYA sir ki baat sun KHANAK hum sabki taraf palti aur uske aisa karte hi najaane kitne hi bando ke dil palath chuke the...

khair, hamari taraf palath...


KHANAK-hello everyone..mera naam toh aap sab jaan hi chuke hain..KHANAK RAWAT...

mai basically bhi yahin DEHRADUN se hi hun..

mera last school "PRINCE SCHOOL & COLLEGE tha....


ab tak KHANAK ki baat kaam se nahi,dil se sun rahe the sab par uski aakhri baat sun sabke kaan aur dimag khul gaye..

reason..

PRINCE SCHOOL & COLLEGE hamare school SIRIUS ka sabse bada rival tha...

har saal INTER SCHOOL CHAMPIONSHIP me PRINCE SCHOOL & COLLEGE hi tha jo hume sabse strong competition deta tha aur yahi wajah thi ki yahan aur wahan ke students me school aur college ke bahar bhi zyada banti nahi thi..

ab KHANAK ussi school ki X student thi..ye jaan thoda sa uncomfortable toh hue sab par KHANAK ki jaanleva smile ne us uncomfortable portion ko jaise gayab hi kar diya..

anyways, apna pura intro dekar,apne like dislikes bata kar KHANAK second bench par jaakar baith gayi jiske baad..


MAALVIYA-waise KHANAK...agar kisi bhi cheez me problem ho toh tum SAMEER se help le sakti ho..

he is the topper of this class...


MAALVIYA sir ki baat sun piche palath KHANAK ko ek smile di SAMEER ne jispar woh bhi muskurayi aur...


KHANAK-ofcourse sir.. thank you...and i know that he is the topper as well as the champ of SIRIUS...mere last school me bhi ye kaafi famous hain...

MAALVIYA-that he is...


kaafi proudly kahi ye baat MAALVIYA sir ne jo laazmi bhi thi..aakhir,unhi ki class ka toh student tha SAMEER...

anyways,jahan MAALVIYA SIR wapas ghum laptop se aaj ka study topic smart board se connect karne lage,wahin class ke lagbhag sabhi boys ki nazar ab bhi KHANAK par hi tiki thi aur in sabhi me hamara NITS toh aana hi tha jo apne dono haath apne gaalon par tikaye piche se KHANAK ko kuch yun taad raha tha maano woh theek uske saamne baith uski aankhon me jhaank rahi ho..

kuch pal apne imagination me khoye rehne ke baad..


NITS-kya bandi hai yaar... kayamat ki agar koi surat hoti,toh woh kuch aisi hi dikhti..

MAI-yup..ladki khubsoorat toh hai...


jaise hi maine ye kaha,ek saath do chizen hui..

pehli,NITS aur SONU jhat se ghume meri taraf...

aankhein apni aakhri hadh tak faile chuki thi dono ki jo normal hi tha..

aaj pehli baar kisi ladki ke baare me aisa kuch kaha tha maine...

dusri...

jaise hi KHANAK ko dekhte hue woh shabd kahe maine,theek ussi pal kisi reason se palti woh aur aisa hote hi uski nazar padi mujhpar...

aur mujhe dekh ek badi hi pyari smile naach uthi KHANAK ke face par joki SONU aur NITS,jinki nazar mere baad ek baar phirse KHANAK par padi thi, unhone bhi dekhi joki unke liye ek dusra jhatka tha....

smile dene ke baad udhar KHANAK palti aur idhar...


NITS-aur kya kya chhupaya hai be laude ke baal tune humse...???


mujhe ghoor dheere se gurraya NITS jispar..


MAI-tu toh baat nahi kar raha tha mere se....


SONU-bbakkwass bband kkar bbe....aurr ssach ssach bbata...kkabse jjanta hhai uss lladkki kko...???

MAI-abhi 2 minute hue..jab usne may i come in sir kaha,tabse...


SANVY, SONU,NITS....


meri baat par un dono me se koi kuch kehta ki usse pehle hi MAALVIYA SIR ki awaaz hum teeno ke kaan par padi jo hum teeno ko hi ghur rahe the aur ye dekh...


MAI-yes sir...


turant khade hote hue halke dheere par bilkul kisi army ke jawan ki tarah kaha ye maine jispar class dheere se has padi..

wahin mere yun karne par MAALVIYA sir ka mujhe ghurna aur badh gaya jiske baad...


MAALVIYA SIR-get out you three.. apna important discussion class ke bahar jaakar karo..

SONU-bbut ssir,hhumnne ttoh..

MAALVIYA-shut up and just get out,or else class ke andar hi murga banakar khada karwa dunga.

aur aisa pehli baar hoga jab puri class teen gadhon ko murga bante dekhegi...

MAI-no sir..class se bahar jaane waala option zyada sahi hai..but sir,ek request hai..

ab jab hum teeno class se bahar jaa hi rahe hain toh kya hum kuch der ke liye section B me ANSHUMALA MISS ke paas jaa sakte hain..??


ab ye tha woh naam jisse sun MAALVIYA SIR ka dimag aur kaan zaroorat se zyada hi khul aur khade ho jaate hain aur ab bhi yahi hua...


MAALVIYA-why do you want to go to ANSHUMALA MISS...???

MAI-sir,ussike baare me toh hum baat kar rahe the...actually, ALGEBRAIC EXPRESSIONS & IDENTITIES ke baare me jiska example parso aapne diya tha aur bataya tha ki waise equations ANSHUMALA MISS ke favourite hote hain...

MAALVIYA-toh...???

MAI-toh SONU abhi ussi chapter ke kuch equations solve kar raha hai aur usse kuch dikkat aa rahi hai...

so SONU & NITS where saying ki recess me ANSHUMALA MISS se jaakar un problems ke baare me puchenge aur mai keh raha tha ki jab MAALVIYA SIR hamare class teacher hain toh hume unse puchna chahiye..

MAALVIYA-ofcourse tumhe mujhse hi puchna chahiye...???agar mai absent hun toh baat alag hai otherwise why would you go for your maths problem to ANSHU MISS...???

now sit down... aur abhi jo chapter clal raha hai, uspar concentrate karo..

free time me equation ke beech jo bhi problem aa rahi hai,mujhe batana..

mai doubts clear kar dunga...

MAI-thank you sir..


jo kaaran maine bataya tha, usne sir ke dimag se hum teeno ko class se bahar nikaalne waali baat bhula di thi..

ya phir ye bhi keh sakte the ki sir hume ab bahar nikaalne ka risk nahi le sakte the aur woh isiliye kyunki woh jaante the ki agar unhone waise kiya toh mai pakka ANSHU MISS ke paas nikal leta aur ye sir hone nahi dena chahte the..

anyways,jahan hum teeno baith chuke the wahin puri class ab bhi dheere dheere has rahi thi..

woh sab jaante the ki maine ek baar phirse khud ko save kar MAALVIYA SIR ka popat bana diya tha..

khair,humare baithne ke baad sir padhane me busy ho gaye aur mai wapas apne favourite kriya me..

straight face rakh aankh kholkar sone laga tha mai aur is beech first, second aur third period khatm ho gayi...

teeno hi classes me mai teachers ke saath masti kar puri class ko hasata raha jiska shayad sabse zyada maza woh new admission KHANAK leti rahi..

meri har masti, mazak me sabse bright smile joki wakayi kaatilana thi, ussike face par rahi..

kayi baar aisa bhi hua ki beech beech me piche palath aankhein roll kar halka sa mujhe dekhti woh aur jab meri nazar uspar padti toh woh saamne dekhne lag jaati...

aur ye sab chaar aakhein aur dekh rahi thi..SONU aur NITS ki jo kabhi KHANAK ko toh kabhi mujhe ghur rahe the..

aaj toh SONU joki class me completely focused rehta hai, uska dhyan bhi padhayi ko chhod mere aur KHANAK par hi raha..

aur issi tarah continous check out,masti mazak me kab teesra period khatm hua aur recess aa gayi,pata hi nahi chala aur tabhi..


MAI-abbe kya kar raha hai...???

jaise hi recess hua aur teacher class se bahar gaye,NITS ne turant apni baah mere gardan ke ird gird lapeth di..

wahin SONU bhi dusri taraf se mujhe jakde hue khada ho gaya tha jiske baad..

NITS-ab sach sach bata be loude...kya kya chhupaye hue hai tu humse...???

MAI-abbe jhaantu,kuch bhi nahi chhupaya hai maine aur gardan chhod bhosdike,dard ho raha hai..

SONU-billkkul mmat cchodnna bbe...sssala jjhuth pe jjhuth bolle jja rraha hhai...

SAM-guyz,kar kya rahe ho tum teeno...??

MAI-teeno nahi dono...mai toh karwa raha hun...hatwa be dono ko mere upar se...

SAM-par hua kya hai,ye toh batao koi..???

MAI-abbe sawal jawab baad me kariyo...???hata inhe pehle...


jahan meri baat sun SAM NITS ki baah mere gardan se hataane laga wahin SONU SAM ko dhakka dekar hatane laga..

ye sab dekh EKPREET bhi kuda hamare beech aur SONU ko pakadne laga jiske baad...


SONU-RRAJJATH...bbhai nnahi hai kkya bbe...hatta iss chhoddu kko...


SONU ki baat sun RAJAT lapak pada EKPREET ke upar...

aur ye sab dekh ANJALI aur NAISHA toh normal hi rahe kyunki hum sabko aapas me ladhta bohot baar dekha tha un dono ne par KHANAK joki unke saath hi khadi thi, woh hum sabko yun ladta dekh hairan ho gayi aur..


KHANAK-kar kya rahe hain ye sab...???kuch jhagda hua hai kya in sabke beech...???

NAISHA-chill babes..roz ka hai inka...??

ANJALI-haan,aur khaaskar is SANVY ka...har fasaadh ki jad hamesha yahi hota hai...

KHANAK-kaun SANVY????jiski gardan us ladke ne pakdi..oh my GOD... guys watch out...


maine achanak se hi NITS ki thigh pakad usse upar utha diya tha jisse dekh ye reaction diya tha KHANAK ne..

wahin jaise hi maine NITS ko lift kiya toh..


NITS-abbe,neeche utar saale... bohot maarunga gandu nahi toh..

MAI-saale,kabse chhodne ke liye bol raha hun,samajh hi nahi aati baat tereko...

beta lulli waale lund waalon ke saamne chaddi nahi utaarte...izzat utar jaati hai..


apni baat bol NITS ko upar hi uthaye hue mai gol ghum gaya aur mere aisa karte hi NITS ki laath SAM,SONU, EKPREET aur RAJATH, chaaron ko pad gayi aur woh idhar udhar dhool gaye..

wahin mai toh NITS ko uthaye 5,6 baar tezi se ghuma aur phir usse neeche zamin par rakh diya aur mere aisa karte hi..


DHAMM..

chakkar aa gaya tha NITS ko jiski wajah se woh neeche gir gaya..

wahin SAM,SONU, EKPREET, aur RAJAT toh pehle hi NITS ki laath khaane ki wajah se neeche pade hue the..


MAI-and the winner..the last man standing,the one & only,SANVEER AHARYA...


bench par khada hokar dono haath uthaye kahi maine ye baat jisse sun jahan ek taraf NAISHA, KHANAK aur yahan tak ki ANJALI bhi has padi thi wahin dusri taraf meri is self proclaimed jeet ke announcement ka ulta hi asar hua mere sabhi neeche gire pade doston par jiske baad...

ek baar ek dusre ko dekha un sabne aur phir saale woh paanchon ke paanchon ek saath khade hue aur mere upar kood pade...


MAI-abbe haramiyon,hato be...oye, peth nahi lund hai woh,haath hata bhosdike...

oye,behen ke bhai,haath chhod..saale bohot maarunga baad me bata raha hun...


saale paanchon ne mujhe aise lapeth kar pakad liya tha maano gang bang karne waale ho mera..

wahin meri dhamki sun darne ki jagah aur kaske pakda mujhe kamino ne aur ye dekh ANJALI,NAISHA aur KHANAK turant hamare paas aayi aur...


ANJALI-guyz,chhodo yaar,kya kar rahe ho...???class me hain hum..

koi teacher aa gaye toh sidhe PRINCIPAL'S OFFICE me dikhoge sabhi ke sabhi...


PRINCIPAL ka naam sunte hi saale sab mujhe turant chhod uthne lage the...

par itni der ki gutham guthayi me hum sab haanf bhi rahe the aur hum sabke uniforms ki bhi puri lag chuki thi..

anyways,hum sab khade ho chuke the aur hamari haalath dekh KHANAK mooh dabaye has rahi thi...

nazar uski meri taraf hi thi aur ye dekh SONU aur NITS haanfne ke beech bhi ek baar phir mujhe ghurne lage the...

wahin apne uniform ko theek kar SAM muda KHANAK ki taraf aur..


SAM-well KHANAK...ANJALI,NAISHA, EKPREET aur RAJAT se toh tum mil hi chuki ho..

in teen mahanubhavon se bhi mil lo..

ye hai SONU.. that's NITS for you aur ye janaab hain....

KHANAK-SANVY...aaj class me kaafi baar naam sun chuki hun inka..

and i must say,sense of humour kaafi amazing hai aapka SANVY...

waise apna intro toh maine bhi sabke saamne de hi diya tha but kyunki officially this is our first meet, so hye..

i am KHANAK... friends...!!!!


haath aage badhate hue kahi ye baat KHANAK ne jispar uska band shake karte hue..


MAI-friends aap nahi tum kehte hain..

"maine tumhari friendship accept kar li,tum mujhe "tum" kehna accept kar lo"...

KHANAK-wow..that was a cool line..waise,mai tumhe pehle se jaanti hun...

i mean, facially...I.M.A ke aage jo ground hai,i have seen you walking their...mera ghar ussi ground ke paas hi hai..


KHANAK ki puri baat sun usse mujhe baar baar dekhne ke reason clear ho chuka tha SONU aur NITS ka..

isiliye un dono ka ghurna ek dum se band ho chuka tha..

wahin KHANAK ki baat sun..


MAI-you are daughter or relative of a military man...!!!

KHANAK-how do you say that...??kya tum bhi jaante ho mujhe...???

MAI-nopes.. khubsoorat chehre itni asaani se nahi bhulta mai..

I.M.A ke aas paas 5 km ke radius me jitne bhi ghar hain,woh military province hai aur sirf ARMY ke logon ko hi alloted hain..

isiliye guess kiya tha maine..


meri aakhri baat toh jaise suni hi nahi thi kisine....

meri shuruat me kahi flirty line sun joki maine pehle kabhi bhi kisi par use nahi ki thi, mere sabhi doston ke mooh khul chuke the,wahin KHANAK halki blush karne lagi thi jiske baad apne baalon ko apni ears ke peeche karte hue...


KHANAK-thanks for the compliment..

TRRRRRRRRRR...

koi kuch kehta ki tabhi bell ring hui jiska matlab tha ki recess time khatm jiske baad..


KHANAK-ok guyz..classes over hone ke baad chat karte hain...


ye bol mujhe ek baar dekh KHANAK,ANJALI aur NAISHA ke saath palath aage badh gayi wahin RAJAT aur EKPREET bhi ek baar mujhe dekh apni seats par chale gaye aur aisa hote hi apna ek haath mere kandhe par rakhte hue..


SAM-looks like finally SANVEER AHARYA is interested in a girl..

NITS-totally bhai..ye pehli bandi hai jisko dekhte hi taarif ki thi isne..

SAM-really..???

SONU-hhann bbhai..mmaine ttoh ssocchha bbhi nnahi ttha ki kkabbhi aissa bbhi kkuchh hhoga..

SAM-nice choice SANVY..hot toh hai hi ye bandi..

shit man...bohot din baad kisi bandi ko dekh socha tha maine ki thoda flirt karunga, par ab apne bhai ko pasand aa gayi toh baat khatm..

MAI-nopes..do it...

SAM-do what...???

MAI-flirt kar iske saath...

SAM-paagal hai kya..??abbe,aise hi bola tha maine..if you like her..she is all yours buddy...


ye bol SAM palath apni seat ki taraf jaane laga par tabhi...


MAI-i challenge you...


meri baat sun turant rook gaya SAM aur aankhon ne hairat liye mujhe dekhne laga woh jiske baad...


SAM-you challenge me..???for what..

MAI-as i said..flirt with her...dikha kitna charm hai tere me...uski aankhon me apne liye khawahish jaga kar dikha...

bas itna karke dikha toh maanu mai ki tujhme wakayi dum hai...


SAM-are you serious...???

MAI-totally...

SAM-done..par baad me mat boliyo...!!!

MAI-nahi bolunga..


ek deal sa karne ki tarah ek dusre se haath milaya maine aur SAM ne jiske baad hasta hua SAM apni seat ki taraf badh gaya..

wahin meri aur SAM ki puri baat sun pehle hi shocked khade SONU aur NITS ne SAM ke jaate hi mujhe ghera aur..


NITS-abbe pagal ho gaya hai kya..??ye kya chutiyon waali sharth laga baitha tu..

saale woh SAM hai...is school ka sabse happening banda..har bandi ka dream guy..

sirf uske saath bas kuch time rehne ke liye puri school ki ladkiyan marti hain aur tu usse aisi sharth laga baitha jisme woh KHANAK ko saamne se approach karega...

log apne pairon par kulhadi maarte hain,saale tu pehla hai jisne apne laude par kulhadi maar li hai..

kat hi jaana hai ab toh...

MAI-yahi toh dekhna hai...!!!

SONU-mmatlab...???

MAI-matlab ye balakon ki....




meri aankhein bhi meri ijazat ke bina RO NAHI SAKTI...
jisse mere aagosh me sukoon mile,woh dusron ki baahon me SO NAHI SAKTI...

agar SAM ki pehchaan ne "USSE" kheench liya toh kuch GALATH nahi,kyunki....

jo kisiki bhi ho jaaye,woh SANVY ki HO NAHI SAKTI.....











AAJ KE LIYE ITNA HI.....










AAPKA APNA V....J......
 
expectations
Super-Moderator
22,071
14,530
143
hum shandaar update bhai ji last ki chaar line ki shayri se to aap dil chu lete ho
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY APNE DAD KI BAAT APNE DOSTON SE DODGE KAR DETA HAI WAHIN DUSRI TARAF USKI CLASS ME EK NAYI LADKI KHANAK ENTRY KARTI HAI JISSE PATANE KE LIYE SANVY SAM KO CHALLENGE KARTA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-6


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS





TRRRRRRRRRRRRRRR......


class off hone ki bell bajte hi hamari feku RENUKA GURUNG MISS chalti bani...

waise aaj ka topic woh kuch der pehle hi clear kar chuki thi isiliye baaki ka waqt humara free hi tha jo ab extend ho chuka tha...

is beech jahan mai SONU aur NITS ke saath masti kar raha tha, dusri taraf SAM,EKPREET, RAJAT, NAISHA aur ANJALI RASHI ke saath baat kar rahe the joki kisi reason se kal absent thi aur isiliye uska section change aaj hi hua tha wahin teesri taraf mid portion waali benches bar baith KHANAK uske ab tak ke chhute hue notes ko ANJALI ki notes se copy kar cover kar rahi thi..

ye chiz baaki sabke saath saamne khada SAM dekh chuka tha aur isiliye ek baar mujhe dekh mere diye challenge ko yaad kar woh badh chala KHANAK ki taraf aur uske paas pahunch...


SAM-hey beautiful.. what's up...???

KHANAK-hey SAM.... nothing yaar...incomplete notes complete kar rahi hun...

SAM-you know,kal mai bhi kuch hindi me likh raha tha but ek aisa word beech me aa gaya ki meri pen us word ko cross hi nahi kar paayi aur jo likhna tha,woh bhi incomplete reh gaya...


jahan bade maayus hokar kahi ye baat SAM ne wahin KHANAK,joki tezi se apne notes likh rahi thi,SAM ki ajeebogarib baat sun uska pen achanak hi rook gaya aur face par hairangi liye woh SAM ko dekhne lagi jiske baad..


KHANAK-what nonsense..???!!!

SAM-its true..

KHANAK-you are saying ki kisi shabd par pahunchte hi tumhara pen aage nahi likh paaya...!!!

SAM-that's what i said...

KHANAK-acha..mai bhi sunu,aisa kaun sa shabd tha woh bhala..!!

SAM-tumhara naam... KHANAK...ab itne beautiful naam se aage badhne ki gustaakhi bhala meri pen kaise kar sakti thi...??

KHANAK-kuch bhi haan...


SAM ki baat sun KHANAK sharmate hue neeche dekhne lagi wahin mai,SONU aur NITS jinki aankhein aur kaan, dono hi is waqt SAM aur KHANAK par lage hue the,KHANAK ki nazarein neeche hote hi SAM ne dekha hume aur wink kiya jispar..


NITS-laga liye loude bhosdike..ajeeb kism ka chodu hai be tu SANVY...billi ke saamne dudh ka patila paros diya..kya socha tha be..???woh toh pura doodh chaat hi jaayegi naa...

SONU-ssach mme SANVY...SSAM ko ttere CCHHHUT ne ekk nnayi CHUT dillwa di...

NITS-waah,kya line boli bhai..waise is line se ek thought aaya hai..

kya lagta hai guys..jis bande ne CHHUT shabd banaya hoga,kya ussine CHUT shabd ka bhi ijaad kiya hoga..


issi match making bokloul talent ki baat kar raha tha mai jiska taaza namuna abhi abhi pesh kiya hamare NITS ne jiske baad baari baari hum dono ko aise dekhne laga woh jaise bohot gambhir mudda uthaya hai usne par humari usse ghoorti nigahon ko dekh chehra sidha ho gaya uska aur...


NITS-theek hai.. baad me discuss kar lenge...

HEY GUYZ...BURGER KHAANE CHALEN..TREATS ON ME...



hamare taraf aate hue kahi ye baat SAM ne..kahi toh ye baat usne hum teeno se hi thi par uska smiling face mujhpar hi tika tha maano mujhse keh raha ho ki"THE GAME IS GONE"....

anyways,uski baat sun..


MAI-i am good man..in dono ko lejaa...

NITS-tu khila raha hai..hum toh jaayenge bhai...waise SAM..bhai line toh badi sahi boli thi tune KHANAK se..

SAM-so you all heard... matlab nazarein aur kaan hum par hi tha aap teeno ka..

i hope bura nahi laga kisiko...


aakhri line mujhe dekh kahi SAM ne jiske baad NITS aur SONU ke saath woh palathne ko hua par tabhi...


MAI-"ae kalam zara rook rook ke chal, dekh kitna haseen MUKAAM AAYA HAI...

ae kalam zara theher jaa,teri nok ke neeche mere mehboob ka NAAM AAYA HAI"...


issi shayri se lines banakar dialogue chipkaya naa tune KHANAK par...


meri baat sun jahan SAM turant palta wahin uski aankhon me hairani thi..usse andaza nahi tha ki mai uske dialogue ka secret jaanta tha...

wahin apni baat bol SAM ke saamne khada hua mai aur..


MAI-beta bura unhe lagta hai jo GALATH hon aur SANVY ka toh GALATH bhi SAHI hota hai..


jahan ye bol mai wapas apni jagah baith gaya wahin SAM ka mooh jo halka chota sa ho gaya tha,usse dekh NITS aur SONU ki hasi chhut gayi jiske baad..


NITS-SAM..maana ki tu champ hai..par tu ye kaise bhul jaata hai ki mooh chodi me tu bhi isse nahi jeet sakta...

chal bhai,aaj mai hi tujhe burger khilata hun...


ye bol jahan SAM ko liye NITS, SONU aur unke saath ANJALI and group ke saath khade EKPREET aur RAJAT bhi nikal pade,wahin mai bhi sir ko shake kar muskurata hua apni ek note book nikal kuch likhne laga...


TRRRRRRRRRRR....

HEY SAM..CAN I SIT HERE...???


recess off hone ki bell baji hi thi ki mere kaano me padi KHANAK ki awaaz jo mere saamne khadi smile kar rahi thi...

environmental science jiski class thi abhi,uske teacher filhal aaye nahi the aur naahi NITS,SONU aur mere baaki friends loute the aur isiliye meri side ki seat khaali thi jisse dekh mere paas aakar ye sawal pucha tha KHANAK ne jispar...


MAI-nahi bola toh nahi baithogi...???

KHANAK-nahi,baithungi toh tab bhi par tum smile karkar haan keh do toh khushi khushi baithungi....

MAI-ssss...ab ye toh mat kar dena yaar...???tumhare akeli ki smile itni bhaari hai ki uske upar aur muskurana,kahin kuch GALATH na ho jaaye..

KHANAK-my my....somebody has charm...

MAI-nopes...khuda ki bemisal kaarigari ko dekhkar bhi agar zubaan se kuch acha naa nikle toh woh khuda ki touhin hogi naa...

aur aisi himakat bhala mai kaise kar sakta hun...!!!


ab meri is baat par kuch bolte hi nahi bana KHANAK se aur woh blush karti hui bas chupchap mere side par aakar baith gayi..

kuch pal beete par jab woh bas khamosh baith beech beech me kankhiyon se mujhe dekhti bhar rahi toh uski taraf ghuma mai aur..


MAI-matlab mujhe gunahgaar thehrana hi hai aapko..???

KHANAK-what..??nahi..kyun bol rahe ho aise...???

MAI-jiska naam hi KHANAK ho,uspar khamoshi achi nahi lagti..

aur mujhe lagta hai ki is gunah ka zimmedar mai hun...


meri is baat par sir neeche kiye aur zyada blush karne lag gayi KHANAK aur...


KHANAK-please SANVY...!!!

MAI-chup ho jaaun..!!!

KHANAK-kuch aisa mat bolo ki mai chup ho jaaun...

MAI-yaar hum toh aapki taarif kar rahe the..ab aapko apna hi aks hamari nazaron se nahi dekhna toh koi baat nahi...

zubaan aur aakhein,dono hi band kar leta hun mai....


meri is baat par KHANAK ka chehra tezi aise meri taraf ghuma maano mai wakayi apni aankhein band karne waala hun..

kaha usne kuch nahi, bas kuch pal mujhe yunhi dekhti rahi par tabhi...


JISKO JO KARNA HAI KARO,BAS AWAAZ NAHI AANI CHAHIYE....


ye thi hamare environment science ke teacher shri RAJESH CHAUHAN ki awaaz jinhone apne parso waala dialogue repeat kiya aur apni badi si tond dikhate hue chair par pasar gaye..

waise bhi kal sir ne pehla chapter ek class me hi khatm kar diya tha isiliye aaj toh unhe class free chhodna hi tha jo unhone kiya..

wahin sir ki baat sun mai dobara KHANAK ki taraf mudne ko hua par tabhi meri nazar padi class ke entrance par khade SATISH VERMA urf SATTU par jo mujhe hi dekh kuch ishara kar raha tha..

aur ye dekh mera dimag thanka...

recess off hue 10 minute se zyada ho chuka tha par strangely abhi tak SAM, EKPREET, RAJAT,NITS aur SONU wapas nahi loute the..

KHANAK se baatein karte waqt is baat par dhyan nahi gaya tha mera par ab achanak SATTU ko apne saamne dekh joki normally mujhse bachne ke bahane dhundta hai,kuch gadbad feel hone lagi mujhe...


KHANAK-who's that...???


KHANAK ne bhi SATTU ko dekh liya tha jiske baad pucha usne ye sawal jispar...


MAI-B secton ka banda hai..kuch kaam hoga..aata hun..


ye bol bina KHANAK ki taraf dekh aage badh sidhe sir ke saamne khada hua mai aur..


MAI-sir,can i go to the bathroom...???


meri baat par bina meri taraf dekhe mujhe jaane ka haathon se aise ishara kiya sir ne maano mai lund khole unke mooh me hi mootne ke liye khada tha..


MAI-kya hua be...?


class se nikalte hi pucha maine SATTU ko jispar..


SATTU-bhai,SAM aur tere baaki dost problem ne hain...

MAI-puri baat ek baar me bata...

SATTU-bhai,recess me SAM aur baaki sab school se bahar jo burger joint hain,wahan khade the..

mai bhi tha udhar ki tabhi SAMRAT ke dushyant aur uske kuch bandon ne unke saath gaali galoch ki aur apni bikes par nikal gaye..


(NOTE:-SAMRAT SCHOOL & COLLEGE..PRINCE ke baad SIRIUS ki sabse badi rival par saale humse school division me pichle 3 saal se lagatar har competition,har championship me haar rahe hain.. isiliye khunnas khaakar lagatar kisi na kisi baat par SIRIUS ke students se bhidte rehte hain..)


SATTU-ab tujhe toh pata hai,apni school ka aur SAMRAT waalon ko chhatis ka aankda hai...

aur khaaskar SAM aur wahan ke students ke beech school se bahar takkar hoti hi rehti hai...

isiliye unki gaali sunte hi SAM aur baaki sab bhi unke piche nikal pade...

SAMRAT me apne bhi kuch trusted bande hain,mere paas unka kuch der pehle messege aaya ki SAM aur uske friends ko gherne ke liye bohot se students nikle hain...

ab bhai,apne toh bas 4,5 hi bande nikle hain aur woh toh definately zyada honge..hume bhi bando ko lekar turant jaana chahiye bhai...

MAI-dushyant bole toh woh jo SAMRAT ki taraf se 100 metre ke liye represent karta hai....

SATTU-haan bhai,wahi.. DUSHYANT PATEL...tere ko toh pata hai naa ki SAM se sabse zyada khaar wahi khaata hai...

MAI-mujhe ye bhi pata hai ki SIRIUS ke complete dimensions ke aas paas,infact outer skirts me bhi kisi outsider ka aana allowed nahi hai unless uske saath koi SIRIUS ka student ya authority ho...

ROHAN....


turant man hi man nikla ye naam mere mooh se kyunki ek ROHAN hi tha jisse us dushyant ki thodi bohot yaari thi...

infact,maine kayi baar is dushyant aur uske doston ko ROHAN ke saath apne area me bane cafe me jam karte dekha hai...

kuch seconds chizon ko process kiya maine aur phir...


MAINE-class me kaun hai tere...???

SATTU-free period hai bhai...apne sports teacher MAANIKPURI SIR baithe hain...

MAI-badhiya..ek pen paper lekar aa, turant...

SATTU-pen,paper,kyun bhai...??

MAI-bhosdike...

SATTU-laata hun bhai...


hadbadakar ye bol turant lapka ek room ko taraf SATTU.. pen toh uski poket me hi tha,bas paper chahiye tha usse jo woh kuch hi seconds me lekar haazir ho gaya.

plain paper mil gaya tha lounde ko..gazab...wakayi jugadu tha saala...


MAI-jo bol raha hun,likh..


meri baat bol likhne ki position me aaya SATTU jiske baad maine bolna shuru kiya jisse sun ek pal hairat se dekha usne mujhe par bina kuch puche woh bas likhta gaya..

ab essay toh likhana tha nahi mujhe..kuch words the jo jald hi likh liye SATTU ne jiske baad...


MAI-chal,tu class nikal..dekh lunga mai...

SATTU-thik hai bhai....aur haan, bhai mere bande ne bataya hai ki woh lounde SAM aur apne baaki doston ko unki school ke just opposite jo mandir ke aage waali ground hai naa,wahin gherenge...

woh jagah is time khaali rehti hai...


ye bol SATTU nikla apni class ki taraf aur kuch seconds baad mai bhi ussiki class ki taraf badh chala...


MAI-may i come in sir...


class ki entrance par pahunch kaha maine ye jisse sun hamare SPORTS TEACHER,MR KUSHAAL MAANIKPURI SIR ne dekha mujhe aur...


MAANIKPURI SIR-yes..come in...

MAI-sir,ye letter recess me ek banda bahar chhod kar gaya tha...bol raha tha,ROHAN ko de dena..

MAANIKPURI SIR- letter.. seriously...what year is it...???2000...

aur letter jab ROHAN ke liye hai toh tu mujhe kyun de raha hai..???

MAI-SAMRAT waale ek bande ka letter hai sir ye..i think ki aap padhen toh zyada sahi hoga...


SAMRAT waale bande..bas itna sunte hi kaan khade hi gaye MAANIKPURI SIR ke..

REASON..

waise toh sir kaafi disciplined aur sharif bande hain,par agar baat sports ki ho toh ye dimag se nahi,dil se sochte hain aur jab baat SIRIUS ki ho toh is sharif aadmi se bada koi gunda nahi..

aur sir jaante the ki SAMRAT waale SIRIUS ke champions se kitna jalte the aur unhe pysically harm karne ke liye hamesha planning karte rehte the..

aur hamare school ka ek champion ROHAN bhi tha.. isiliye meri baat sun jhat se paper liya sir ne mere haath se aur usse kholkar padhne lage..


"OYE ROHAN MAADARCHOD"..TERE PARTNER SAMEER KO AAJ TARIKE SE BAJANE WAALE HAIN HUM...GAAND ME DUM HO TOH HUME ROK KAR DIKHAO SIRIUS WAALO...


ye lines likhi thi us letter me jisse padh kar MAANIKPURI SIR ka B.P ek dum se badh chuka tha.

maana ki ROHAN aur SAM school me ek dusre ke competitor the par jab inter school competition ki baat ho toh woh dono hi team mates the.

unki beech ki outside rivalry ki bhanak tak nahi thi MAANIKPURI SIR ko aur woh isiliye kyunki ROHAN aur SAM, dono hi hamesha sir ki GOOD BOOKS me rehna chahte the...

issi baat ka hi faayda uthaya tha maine kyunki mai jaanta tha ki is letter se jo aag MAANIKPURI SIR ke andar bhadakne waali hai,usme jalega ROHAN bhi aur woh kuch kar bhi nahi paayega...

aur hua bhi yahi..

kuch seconds nathune fulaane ke baad...


MAANIKPURI SIR-ROHAN,idhar aa..


ROHAN joki pehle hi mujhe yahan dekh boukhlaye hue tha,jab sir ne usse bulaya toh woh samajh gaya ki maine usse kisi jaal me lapeth liya hai..

par kar woh kuch sakta tha nahi isiliye sir ke bulaane par woh chupchaap sir ke paas aakar khada ho gaya jiske baad sir ne usse woh letter pakda gaya jisse padhne ke baad ROHAN ki boukhlahat aur badh gayi aur..


ROHAN-sir,i dont think ki aisa kuch bhi hua hoga...sir mujhe lagta hai ye is SANVEER ki koi planning hai mujhe fasane ki..


SIR/MAI-what...!!!!


maine aur sir ne ek saath kaha ye jispar sir mujhe dekhne lage aur tab..


MAI-sorry to cut you sir..par ye ROHAN baat hi itni ghatiya kar raha hai..

mai bhala kyun koi planning karun iske khilaaf..

sir,you can check for yourself..meri class se SAM, EKPREET, RAJAT, NITS aur SONU gayab hain...

ROHAN-sir,ye in sabki combined planning hai... infact,i am sure ki ye letter bhi isne hi likha hoga..

MAI-arre yaar..one second sir..


ye bol maine sir ke saamne rakhi hi pen uthayi aur...


"ROHAN MAADARCHOD"..

MAANIKPURI SIR-abbe ye kya likh raha hai...???

MAI-sorry sir..but prove karne ke liye ki maine ye letter nahi likha,isme jo likha hai,usse hi copy kiya maine..

but you can se here sir...is letter me likhi hand writing meri nahi hai aur naahi mere kisi friend ki..

aap chaahe toh cross check karwa lijiyega but sir, right now,the time is running out..

agar humne zyada late kiya toh aapke school ke champ ki bohot buri condition ho jaayegi...

MAANIKPURI SIR-theek hai..mai SAMRAT ke PRINCIPAL se baat karkar kehta hun to look into the matter immediately...

MAI-sorry sir but isse koi faayda nahi hoga..i am sure ki wahan ke ladke jinhone SAM aur mere baaki doston ko maarne ki planning ki hogi,woh unhone apne school premises ke andar toh karne ki sochi bhi nahi hogi..

infact,culprit students toh school gaye bhi nahi honge..

and i think,i know ki woh sab SIRIUS waalon ko school ke bahar waale ground me gherenge...

ROHAN-tujhe kaise pata...???

MAI-obvio hai mere champ..bas wahi ek aisi jagah hai jo abhi khaali bhi hogi aur SIRIUS ki student body ke reach se bahar bhi...

MAANIKPURI-theek hai..they want fight..we will give it to them... senior bando ko lo aur niklo us ground ki taraf...

PURAN ko bol dena ki maine permission di hai.. PRINCIPAL MA'AM ko mai manage kar lunga..

MAI-kisi senior ki zaroorat nahi hai sir..kisine dekh liya toh hamare school ka naam kharab hoga...

mere kuch friends hain jo abhi school ke bahar khade hain..utne kaafi honge..

MAANIKPURI-are you sure...???

MAI-dont worry sir...i got this..but sir,kya mai ROHAN ko saath le jaaun...???

MAANIKPURI-ofcourse...ye toh jaayega hi..he is one the champ of SIRIUS..aaj uske school friend's khatre me hain,like a true champion,he will rescue them..

right ROHAN....!!!.


ROHAN jo mera uska naam lete hi mana karne waala tha,sir ki baat sun uska woh inkaar uske andar hi dum tod gaya aur usne bas haan me apna sir hilaya jiske baad uske kandhe ko pakad usse apne saath paltaate hue mai ghum chuka tha par tabhi...


MAANIKPURI SIR-ek second SANVEER...ye le jaao and remember,not a scratch...


apni CBR 250 ki key meri taraf badhate hue kahi ye baat sir ne jisse unse le liya maine jispar mere ekdum paas aakar...


MAANIKPURI-this us unofficial..make that basterds understand ki SIRIUS waale sirf sports aur kisi bhi competition me hi nahi balki agar zaroorat pade toh ladhayi me bhi number one hai..

in one straight sentence,maiya chod dena saalon ki..

MAI-maiya kya sir,maiya ki maiya, unki naani bhi nahi bachegi aaj..

chale champ...


ye bol ROHAN ke saath palath school campus se hota hua TEACHERS parking lot ki taraf chal pada mai...


ROHAN-ye tu theek nahi kar raha hai SANVY..

MAI-aur jo tune kiya,woh theek tha.... behanchod,champ woh jo competition se bhaage nahi,uska saamne kare aur tu..

bhosdike, apne competitor ko hi raaste se hatane me laga hua hai gaandu..

CHATTTTTTTTT...


apni baat bolte hue hi tezi se ghuma mera haath aur pada sidhe ROHAN ke piche gardan par jispar uska pura gale waala area jhanjhana gaya...

apni gardan ko masalte hue usne dekha mujhe par aisa karte hi uski fath kar haath me aaa chuki thi..

is waqt aankh meri puri laal ho rakhi thi aur chehra halka halka shake kar raha tha..

mere is roop ko dekh jisse pehle bhi dekh aur jhel chuka tha ROHAN,kuch bolne ko hua woh par tabhi...


MAI-ek shabd nahi gaand ke jane... chupchap chal..warna dobara kabhi chalne ke laayak nahi rahega...


ye bol mai aage badha aur MAANIKPURI SIR ki bike stand se nikal usse ghumate hue ROHAN ke saamne lakar khada kar diya..

ROHAN jo ab bhi dara hua sa tha,chupchaap piche baith gaya jiske baad maine dheere se bike aage badha di...

MAANIKPURI SIR ki bike me the hum isiliye bina zyada explanation ke hi STAFF GATE khol diya gate keeper ne jiske baad hum school premises se bahar nikal aaye aur tab idhar udhar dekhte hue...


ROHAN-woh bande kahan hai jinke baare me bol raha tha tu...???

MAI-meri jhaant me..aaja..ghus ke dhund le...

beta jhund me gherna tere aur us DUSHYANT jaise gidadon ki bhesh me naamardon ka kaam hai...


"hum toh BHAGAT SINGH ke BHAKHT hain...

laava bhi thanda lage, itna garm hamara RAKHT HAI"....


ye bol second gear me daali maine bike jiske baad...20,40,60,80 aur kuch hi palon me 100 ki speed touch kar chuki thi bike..

ye dekh bike ke piche bane bending stand ko pakad liya tha ROHAN ne par asal me uski tab fati jab bhid waale raaste ki shuruat ke baad bhi maine bike ki speed kam nahi ki..

badi swiftly road ki saari cars,bikes,trams ko kaaththe hue mai aage badhne laga tha..

aur phir aaya ek 180 degree turning chowk jispar aadhe se zyada tilt karte hue ghumayi maine gaadi par aisa karte hue bhi speed ka kaanta thoda bhi kam nahi hua aur ye dekh...


ROHAN-MAADARCHOOOOODDFDFDDDDD....


gaand faad zor se chilaaya ROHAN jo tez hawa jo itni speed se bike chalane ke kaaran mere kaano me baj si rahi thi,theek se sunayi bhi nahi di mujhe...

jis ground me hume jaana tha,woh hamare school se kareeb 8 km door thi jisse maine afternoon traffic ke baawjud 5 minute ke andar cover kar liya tha..

sixth minute hote hote hum us ground ki badi si gate ke andar enter kar chuke the aur aisa hote hi ground ke dusre kone me mujhe,joki kareeb 400 metre door thi,dikhe kaafi saare bande jinme se kuch neeche zamin par gire pade the..

ye scene dekh mai samajh gaya ki sahi jagah pahunche hain hum..

agle 200 metre me gaadi ka ignition off kar chuka tha mai par speed zyada hone ki wajah se agle 150 metre badi jaldi cross kar gayi bike jiske baad brake maar rohan ke saath utar chuka tha mai..


MAI-naa tu awaaz karega,naa toh bhaagega...dhamki aage dunga nahi kyunki meri koi baat bhi kati toh kuch bhi samajhne ki haalath me tu bachega nahi..


uske kandhe ko thapthapate hue paidal hi aage badh gaya mai...

apne blazer ko nikalte hue mai dekh raha tha ki SAMRAT ke kul 16 ladke the yahan jinme se paanch bandon ne SAM ko pakda hua tha aur 5 bande milkar NITS,SONU, RAJAT aur EKPREET se ladh rahe the..

bacche 6 neeche pade hue the jiska matlab tha ki in paanchon ne un sabko samet diya tha..

gazab...jo 5 ladh rahe the,unki haalath bhi buri thi par EKPREET, RAJAT, NITS aur SONU ki haalath zyada kharab thi..

chaaron ke blazers gayab the,shirts kaafi zyada fath chuke the par shirt se zyada choten un sabke faces par dikh rahi thi...

aankhien halki halki band hone lagi thi unki jiske do matlab the..

ek toh ye ki kaafi der tak ladha tha un sabne aur isiliye exaust ho chuke the aur dusra ki sir par bhi chot lagi thi unke isiliye consciousness kamzor padh chuki thi...

yahi wajah thi ki kuch hi palon ke baad woh chaaron bhi neeche gir pade par tab tak un paanch logon ko bhi joki unse ladh rahe the,haalath kharab kar chuke the woh chaaron...

lambi lambi saansein lete hue woh paanchon bhi ghutne ke bal neeche baith chuke the aur ye sab dekh...


MANANA PADEGA YAAR SAM TERE DOSTON KO..JIGRA TOH HAI BHAI INKA...MERE 6 BANDE PEHLE HI LITA DIYE THE IN SABNE AUR GIRTE HUE BHI 5 KI HAALATH KHARAB KAR GAYE...


ye tha wahi dushyant jo is ladhayi ka jadh tha... muskurate hue ye sab bol woh SAM ke saamne aakar khada ho chuka tha..

is pure douran sab wahan ke maahoul me is kadar involved the ki kisiki bhi nazar piche meri taraf nahi ghumi thi..

anyways, DUSHYANT ki baat sun..


SAM-hum sab kya hai DUSHYANT ye toh issi baat se pata chata hai ki hum 5 ke liye tum 16 ko aana pada...

dum hai toh bol in sabko, chhode mujhe aur tu bhid mujhse akele..agar jeet gaya tu toh maa kasam agle interschool competition me hissa nahi lunga mai...

DUSHYANT-agle..beta,tu ab kisi competition me kabhi hissa nahi le paayega...


ye bol ek lohe ka rod apni bike ke side se nikala DUSHYANT ne jisse dekh pehli baar SAM ke face par nervousness dikhne lagi thi aur...


SAM-DUSHYANT....ye sahi nahi kar raha tu... beta,agar mere saath kuch bhi GALATH hua toh tera anjaam kya hoga,ye soch bhi nahi sakta tu...

DUSHYANT-zyada door ki mai sochta bhi nahi hun...apne liye toh jo hota hai,on the spot hota hai..

MAI-kitni baat karta hai re gaandu tu..maarna hai toh maar aur khtam kar...

aur tu bhosdike SAM...loude,haath pakde hain in sabne,pair toh khaali hai...

MAAR MAARADCHODON KO....


zor se chillaya maine apna takiyakalaam jisse sun jahan ek taraf woh DUSHYANT aur uske 5 bando ke sir turant meri taraf ghume wahin bas meri awaaz sunkar hi SAM ke face par dikhne waali tention gayab ho chuki thi..


SAM-bhaag lo be naadarchodon...baad me doudne ke liye naa pair salamat rahenge aur naa saansein barabar chalengi...


bade confidently kahi ye baat SAM ne jisse sun..


DUSHYANT-louda bhagega humara..hai kaun ye maadarchod...upar se bahubali ki tarah akela aaya hai gandu..

tere saath isse bhi nipta dete hain...

meri taraf badhte hue kahi thi ye baat DUSHYANT ne wahin mujhe jo bolna tha,jitna bolna tha,woh bol chuka tha mai..

ab tak DUSHYANT ke paas pahunch chuka tha mai aur tabhi..

mere mooh me punch maarne ke liye apna haath tezi se ghumaya DUSHYANT ne lekin...

badi tezi se naa sirf mai neeche jhuka balki apne ek haath ko uske ghume hue haath ke andar se lete hue uske dusri taraf ke shoulders ko jakad sa chuka tha mai..

aisa karte hi DUSHYANT ke ussi shoulder se energy create karte hue turant maine force apply kiya jiske baad apne kandhe ko upar ki taraf ek jhatka sa diya maine jisse uske ghume haath ke tricep me ek tez sensation hua aur woh haath sunn padh gaya..

yahi toh chahta tha mai...

thoda side hath uske ussi haath ko pakad apni taraf jhatka diya maine jisse DUSHYANT lehrate aur disbalanced hokar meri taraf ladhkhadaya...

aur agle hi second ek uppar punch diya maine usse jisse woh theek se jhel bhi paata,usse pehle hi woh mere kandho par tha jisse liye mai aage badh chuka tha..

ye sab itni jaldi hua tha ki naa SAM aur naahi usse pakde paanchon ko kuch samajh me aa paaya tha par jab un sabne apne leader ko mere kandhon par tika paaya toh ekdum se hadbadaye woh sab..

jo punch maine DUSHYANT ko maara tha,usse uska nichla nose portion fath chuka tha aur wahan se speedily bleeding ho rahi thi aur pain itna zyada tha ki sir uska bhaari ho chuka tha..

wahin hadbadane ke baad SAM ko turant chhod woh chaaron meri taraf lapke par tabhi...


DHABBBB.....


woh chaaron meri taraf pahunchte,usse just pehle hi maine DUSHYANT ko un sabki taraf ucchal diya..

teen bande DUSHYANT ki body ke hadh me aa chuke the jiske baad woh sab neeche gir gaye par jo chowtha banda side hokar khudko bacha chuka tha,woh tezi se badha meri taraf aur punch bana mere face ki taraf apna mukka ghuma diya usne par tabhi..


THAKKKK..AHHHHH..

apne right elbow ko pointed position me kar upar kiya maine jispar sidha pada woh mukka..

tez pain hua us ladke ke haath me jiske baad woh apna haath piche karne hi waala tha ki tabhi..

beech raaste hi pakad liya maine uska haath jiske baad..


KHATTT...

SAM-CHUDAN HIJI ATE.(ELBOW HIT ON THE MID BISCEPS)

DHABBB...

SAM-AGE HIJI ATE.(TWISTING THE HAND CHOKING BLOOD FLOW)

DHAKKK....

SAM-USHIRO HIJI ATE..(DOUBLE FIST HIT TO THE CHEST)

BHAKKK...

SAM-OROSHI HIJI ATE.(UPAR CUT PUNCH FROM ELBOW TO CHIN)


GREEN BELT HODLER WITH DASH ke jitne bhi strong hits hote hain,ek second me hi woh saare strokes perfectly hit kar diye the maine us ladke ki upper body par jiske baad kisi taash ke paate ki tarah gir kar behosh ho chuka tha woh..

wahin mere un hits aur unki perfection ko dekh un shots ka naam repeat karte hue aankh faade dekh raha tha mujhe SAM aur jab woh ladka neeche gira toh...


SAM-unbelieveable....


hairat se mujhe dekh khudse hi kahi ye baat usne jispar maine uski taraf dekh aankh maar diya....

par tabhi...

DUSHYANT ko chhod baaki gire pade teeno bande khade ho chuke the aur woh sab ek saath meri taraf badhe par mai taiyar tha..

tezi se swing hua mera right pair jo sidha pada ek ke mooh par lekin ye attack itna hi nahi tha..

kuch zyada hi speedily ghumaya tha maine woh pair isiliye us bande ko hit karne ke baad bhi mera pair badi tezi se dobara ghumne ko hua jisse ek naya shape diya maine..

taang ko liye mai bhi badi tezi se ghum chuka tha aur is baar jab meri body sidhi hui toh mai zamin par nahi balki kareeb 5 feet hawa me tha..

mera right pair ek bande ki naak ke paas aur left dusre ke maathe par padh chuka tha...

jahan in double hits se woh dono piche ki taraf ladhkhadate hue gir pade wahin mai bhi disbalanced hone ki wajah se peeth ke bal neeche gir chuka tha aur issi ka faayda uthathe hue ek maatra bacha hua banda tezi se mere paas aaya aur mere ando ko nishana banate hue usne apne pair chala diya par tabhi...

apne dono pairon ko kainchi bana rok liya maine uska woh pair aur saath hi saath us block ke baad uske pair ka sahara lete hue khudko thoda aage ki taraf kheencha maine jiske baad...


BHAKKKKK...AHHHHHHH..

jo woh mere saath karna chahta tha,woh maine uske saath kar diya..

mera ek pair sidhe uththe hue uske aand kosh se takraya jispar gaand faad zor se chillate hue zamin par gir pada woh aur chattpatane laga..


DHADDHHHH...DHADHHHHH....DHADHHHHH.....


mere kaano me ye tez maar ki awaazein padi jisse sun jab maine saamne dekha toh paaya ki SAM aur uske saath EKPREET joki ab uth chuka tha,dono milkar hokey sticks se baaki ke un paanch bandon ko jo mujhse bhidne meri taraf badhne lage the,un sabko tezi se baja rahe the...


EKPREET-tumhari maa ka chodu...gaand ki paidaawaron..saalo,suwar ke lund jaisa mooh rakh humse bhidoge be burchodike log..


ye sab bakte hue badi tezi se apna hockey ghuma raha tha EKPREET....

wahin DUSHYANT jiske naak ke raaste hadh se zyada blood nikal chuka tha,woh ek haath se sir aur dusra apni naak par rakhe ab bhi leta hua tha...

is beech mai ghuma piche ROHAN ki taraf jo aankhon me khauf liye mujhe hi dekh raha tha...

par isse pehle ki mai uski taraf badhta,woh khud meri taraf badha aur apne haath jod diye jiske baad..


ROHAN-bhai maa kasam..ye saale ye sab karenge,ye nahi pata tha mujhe.. maine toh bas ye bola tha ki thoda bohot maarte hue insult karkar chhod dena...


CHATAKHHHH..CHATAKHHHH...

MAI-kitna thoda.. hain maadarchod.. quantity bata loude...


ye bol mai lagatar tamache maarne laga ROHAN ko jispar jab kuch der baad woh mere thappad seh nahi paaya,toh pair pakad liye usne mere aur..


ROHAN-bhai maaf karde..dobara aisa kuch nahi karunga..

MAI-tu karna maadarchod..jitni gaand illi karni hai kar..roka maine..

CHATAKHHHH...

bol na bhosdoke..roka maine.

CHATAKHHHH...


lagatar kayi baar bajata raha mai uske gaalon par thappad jiske baad usse gale se pakad sidha kiya maine aur tezi se apne haathon ko ghumate hue uski gardan jakad li par tabhi..


EKPREET-abbe chhod bhai SANVY,kya kar raha hai...!!!abbe gardan toot jaayegi uski...


tezi se meri taraf bhaagte hue kahi ye baat EKPREET ne jispar...


MAI-toh...


ye bol ROHAN ki gardan par apni baanh ki giraft tight kar di maine jiske asar se uska mooh laal hone laga...

mooh halka khul gaya uska jisse uski laar nikalne lagi aur ye dekh kaafi dar gaya EKPREET aur..


EKPREET-bhai SANVY,mar jaayega woh yaar... please chhod de... SANVYYYY, tujhe aunty ki kasam...

BHAKKKKK...


EKPREET ki aakhri baat sunte hi ek tez laath di maine uske chest me jispar woh piche ki taraf lehrata hua gir pada..

par kaam uska ho chuka tha..gardan cchhod di maine ROHAN ki jiske baad woh bhi dhamm se niche gir pada..

wahin ghussa shaant hua nahi tha mera aur isiliye meri nazar padi SAM ke paas khade DUSHYANT par jisse SAM kuch mukke jadh chuka tha par uski fath mujhe dekh kar rahi thi..

aankhein waise hi laal thi meri jinhe apni taraf ghurta dekh uski halakh hi sukh gayi.

aur jab tezi se badha mai uski taraf toh woh bhaagne ko hua par SAM ne usse pakad liya..

SAM bhi jaanta tha ki mera ghussa, frustration abhi baaki hai jiska nikalna bohot zaroori hai..

anyways,mai pahunch chuka tha us DUSHYANT ke paas jiske baad apne ek haath me pakde hockey ko meri taraf ucchal DUSHYANT ko chhod diya SAM ne jiske baad piche haththe hue kuch kehne ko hua DUSHYANT par tabhi...


SOOBBBBHHH..DHAADHHHH..SOOOBHHHHH...DHAADDHHHHH..


ek ke baad ek kayi baar chali meri hockey jispar neeche zamin par gir chhatpaane laga DUSHYANT aur..


DUSHYANT-bhai,bhai maaf kar de bhai..bhai,maa kasam aayinda aisa kuch nahi karunga...

bhai, please bhai...SAM bhai,roko naa isse bhai...

MAI-tum saale maadarchod log...DHADHHH...samajhte hi nahi ho...DHADHHH...SIRIUS.... seriously lo loudo is naam ko....DHADHHHH.....

kyunki,ye koi...DHAADDHHHH...sirf naam nahi hai... DHAADDHHHHH...sirf ek institution nahi hai...DHADHHHH.... SIRIUS is a bloody emotion...DHADHHHH...

and no one,and i repeat,no one plays with it...DHADHHHH...DHADHHHH...DHADHHHH....


jab tak cheekh nikalti rahi us DUSHYANT ki tab tak usse maarta raha hai mai par phir jab uska consciousness level kam hone laga aur uski cheekh kamzor hone lagi toh phek diya maine woh hockey stick..

ab tak SONU,NITS aur RAJAT bhi sense me aa chuke the aur is waqt theek mere piche EKPREET aur SAM ke saath khade the..

waise toh hosh un SAMRAT ke bando ko bhi aa chuka tha par uththe hi woh sab nou do gyarah ho chuke the..

anyways,mere hockey stick fekte hi mere sabhi dost mere saath aakar khade ho gaye aur zamin par aadhe behosh ho chuke the DUSHYANT ko dekhne lage jiske baad mai jhuka aur uski aadhi khuli aankhein jinme ab bhi mujhe apne paas dekhne bhar se dar jhalakne laga the,unme jhaanka maine aur...


MAI-


socha bhi kaise tune ki tu mere doston ko KOOT DEGA...!!!!

SAMRAT utne hi kadam badhayega,jitne ki SIRIUS usse CHHUT DEGA...

jo hua woh zehen me zinda rakhna apne,warna...

agli baar itna maarunga ki lund tera khoon uglega aur mooh se tu MOOTH DEGA....











AAJ KE LIYE ITNA HI....












AAPKA APNA V...J...
 
expectations
Super-Moderator
22,071
14,530
143
awesome update apne doston ki parwaah khud se jada hai doston ke liye kuch bhi karega.maja aa gawa bhai ji
 

Top