Thriller Gumshuda - Ruksanah Is Missing(completed)

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Gumshuda - Ruksanah Is Missing


Yeh kahani ek crime mystery hai jiss mein adultery aur incest ke kuch parts honge. Story crime thriller hai magar iss ka base sex hai.

Ziada sex scenes nahin honge, par sirf jahan zaroorat hai story ke hissab se wahin honge.

Aur yeh story ziada lamba bhi nahin chalega. Andazan mere hisaab se koyi 30 se 40 updates mein end ho jaega.

Jeise ke title mein likha hai ek jawaan khubsurat aurat, Ruksanah, wife hai, jo gumshuda hai, husband ne usski missing report karwaayi aur ussi ko shak ke bina par giraftaar kiya gaya. Ek crime se dusre crime bhi jude hue ho sakte hein iss mein.

Aaiye dekhte hein keise kia hua tha.

Updates kal se ya late raat mein ana shuru hoga.
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 1 At the Police Head Quarters

Police Commissioner, chief inspector Panday aur usske team se mukhatib the. Comissioner sahab kuch disturbed dikh rahe the aur bahot seriously team se baat kar rahe the khaas kar Inspector Panday se.

Commissioner: “Inspector Panday, 2 mahinon se aap ne Mister Tariq ko hirasat mein liya hai aur aap ne abhi tak case ki anjaam tak nahin pahunche hein to ussko bail par kyun reha nahin hone diya? Ek aadmi sirf shak ke bina par itne din hirasat mein nahin reh sakta!”

Inspector Panday: “Sir, hum pure koshish kar to rahe hein magar kuch haath nahin araha!”

Commissioner: “To Mister Tariq ko reha karo, tab usske movements par nazar rakho, agar ussne apni biwi ki kattal kiya hai to wo koyi nah koyi ghalati zaroor karega aur tab aap ko assani hogi ussko pakarne mein, abhi kuch bhi haath nahin aya hai to kiss bina par aap ne ussko 2 mahinon se cell mein lock kiya hua hai?!”

Inspector Panday: “Sir humne ussko kaha bhi ke hum ussko sarkaari vakil de sakte hein bail ke liye magar wo kuch bolta hi nahin, ek bhi word nahin kaha iss baare mein, usski wife ke baare mein koyi bhi sawal karen to kuch bhi bataane ko raazi nahin sirf humko usse dhundne ko kehta hai humne ussko apne vakil karaane ko bhi kaha, ussko apne vakil ke saamne bayan dene ko kaha phir bhi wo khamosh hai ….”

Commissioner: “Inspector Panday, main ne Mister Dsouza ko call kiya tha wo iss case mein aap ki help karne ko tayaar hue hein, aap usske under kaam karna aur unnko pura support dena.”

Inspector Panday: “kaun wo Goa wala jo FBI mein the? Magar wo to retire ho gaye hein sir.”

Commissioner: “Haan retire hone ke bawajud wo eise murder ko ab bhi solve karte hein, wo bahot hi experienced hai aur especially trained hai eise maamlon mein, Woh aaj tak ek bhi murder case mein nakaam nahin hue hein, hazaaron murder cases ko solve kiya hai unnhon ne, usski carreer mein ek bhi unsolved murder nahin hai. Aur sabse badi baat mister Dsouza ki apni personal forensic lab hai aur wo khud investigate karke forensic ki analyse karte hein apne haathon se!”

Panday: “Okay sir agar aap ko yeh sahi lagta hai to I am okay with that”

Commissioner: “Mister Dsouza jab ek case par kaam karta hai to usske liye wo ek challenge ban jata hai, ek junoon hai uss mein, wo nahin chahta ke uss ka liya hua case assafal rahe iss liye main ne ussko contact kiya aur ussne accept kiya iss case ko solved karne ko aur I bet he will succeed.”

Panday: “Good, Sir, We will all cooperate with him.”

Commissioner: “Good, main tumko Mister Tariq ko reha karne ke liye kehta magar ab soch raha hoon mister Dsouza ko ajaane do tab dekhte hein wo kia kehta hai, phir decide karenge ke tariq ko reha kiya jaaye ya nahin.”

Panday: “aur kab aa rahe hein wo?!”

“Aaj shaam ko ajaeyenge, abhi on the way hai.”

Shaam ko jab mister Dzouza ne Panday aur commissioner se milkar pure case ka report dekha to kaha ke Tariq ko chorr diya jaaye. Usske ghar se sabhi search aur forensic ki traces se kuch bhi nahin haasil hue the Tariq ke ghar se. Iss liye ussko hiraasat mein rakhne ki koyi sawaal hi nahin paida hota tha ussko bina vajah do mahinon tak hirasat mein rakha gaya tha mister Dsouza ne kaha.

Dsouza 58 saal ka hatta katta aadmi tha, ooncha kad, chawda seena, military style wala insaan jissko order dena passand tha, jo kissi ke niche kaam karne se nafrat karta tha, jo apna decisions khud leta tha, aur jo dusron ko order dene ka aadi tha, aaj Panday ko upar se niche dekhte hue kaha,

“Aap kitne dinon se police mein hein?”

Panday: “12 years sir.”

Dsouza: “kitne murders solve kiye hein ab tak?”

Panday: “ek bhi nahin Sir.”

Dsouza: “kyun?”

Panday: “mujhko kabhi koyi murder case mila hi nahin solve karne ke liye Sir!”

Dsouza: “hmmm this is your first murder case! Okay With me you will learn a lot and it will be a great experience for you if you follow all my instructions with zeal.”

Panday: “yes sir, thank you Sir.”

Tariq Anwar ko reha kiya gaya. Wo ghusse mein nikla aur police walon ko gali dete hue kaha ke ussko itne dinon tak bewajah hirasat mein rakha tha ke itne dinon mein wo khud apni wife ko dhund leta.

Jab wo chala gaya to Dsouza ne Panday se aur pure uske team se kaha,

“Ab iss mister Tariq par 24 hours nazar rakha jaaye, jo issko watch karenge civil dress mein, disguise mein honge taake ussko bilkool bhi pata nah chale ke police ussko watch kar rahe hein, mujhe usski har movements ki reports on the spot chahiye, wo kahan jaata hai, kiss se milta hai, kitne der tak ghar se bahar rehta hai, kaun kaun usske dost hein, etc etc….”

Aur phir sabhi reports par nazar daudaate hue Dsouza ne Panday se pucha,

“Tariq ke ghar ke andar aap ki report mein likha hai ke kuch nahin mila as proof of murder, magar ek baat nahin dikha mujhe report mein, aap ko kahin koyi khoon ke nishaan nahin dikhe its ok, magar mera sawaal yeh hai, ke aap ne Luminol istemaal kiya tha uss ghar ke andar?”

Panday: “no sir khoon dikhe hi nahin the kahin to usski zaroorat nahin pari thi”

Dzouza: “What? Luminol tab use hota hai jab khoon nahin dikhe tabhi….. 50 saal baad ke sukhe hue khoon ko detect kar sakte hein Luminol ye nahin pata aap ko?! Yeh to badi ghalati kiye hai aap ne… sunon acha hi hai ab agar ghar mein kahin khoon ke dhabbe honge to Tarik uss jagah zaroor jaega aur khud dhundega, humko khud usske ghar jaakar dekhna chahiye ke wo ghar ke andar kia karta hai…..”

Pata chala ke ghar jaate hi Tariq car lekar kahin chala gaya aur usske piche ek police constable gaye hein.

Dsouza aur Panday tab Tariq ke ghar ke andar daakhil hue. Dsouza ke paas har tale ki chabhi maujood the.

Ghar ke andar Dsouza ne Panday se kaha murder hota hai to aadmi bathroom ke taraf zaroor jata hai khoon dhone ke liye aur kissi nah kissi tarah khoon ka ek katra kahin nah kahin deewaar par ya kahin bhi bachta hai…. Ab murder hua hoga to bedroom se start karna chahiye, ya lounge mein jahan TV dekha karte hein log, jahan ek discussion shuru ho sakta hai etc…”

Luminol ka istemaal kiya gaya Tariq ke ghar ke andar unn jagaon par jahan Dsouza ke hisaab se khoon ho sakte the, bathroom mein bhi aur ghar ke charon taraf Luminol se check kiya gaya magar ghar ke andar kahin bhi khoon ka nishaan nahin mile.

Dsouza ne kaha,

“Aur agar khoon kiya hi nahin gaya ho? agar usska gala ghont kar mara gaya ho to? Aur ab iss ruksanah ke baare mein kitna pata kiya hai aap ne Panday sahab? Kia chiz thi yeh aurat? Kahan kaam karti thi? Kiss se milti thi isske kitne saathi the etc?!”

Panday: “Sab kuch file mein hai sir, magar wo to hai nahin to kuch ziada pata hi nahin chala jahan kaam karti thi wahan ke logon se jo pata chala wo file mein sab reported hein Sir.”

Dsouza: “aur usske gharwalon ne kia kaha?”

Panday: “she has no relatives except her father, sir!”

Dsouza: “Maa, bhai, behen behnoy, bhabi, chacha, chachi etc, kuch nahin hein?!!”

To be continued………….
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 2 the investigation continues

Ab hua kia tha assal mein wo dekhte hein.

Mister Tariq Anwar ki biwi ek shaam ko kaam se wapas nahin aayi.

Tariq Anwar, 33 years old, ek jaani maani mall mein ek dukan ki owner hai. Uss dukaan mein mein wo har tarah ke gift ke saaman bechte hein. Bade tadaat mein customers hein unnke. Bahot aamdani hota hai uss business se unnko, ke ek alishaan ghar, car aur har tarah ki sahuliyat hai unnke ghar mein. Mall banne se pehle usski dukaan kissi ek gali ke churaahe par hua karta tha aur wahan se hi Tariq ne tarraki karna shuru kiya tha. wahin se wo Ruksana se pehli baar mila tha jab wo koyi gift kharidne gayi thi usski dukaan mein. Yeh 10 saal pehle hua tha, phir romance shuru hui aur shaadi kiye donon ne aur bade araam se zindagi bashar kar rahe the donon.

Tab Ruksanah student thi final year mein, aur graduation ke baad ussne Tariq se shadi ki thi. Baad mein Ruksana ko ek badi firm mein financial department mein kaam mil gayi aur ghayab hone tak wo wahin kaam karti rahi.

Tariq ne shaam ko ussko phone karna shuru kiya kyunke w late thi, magar usska phone unavailable araha tha. bahot try kiya ussne ke andhera hone laga aur wo ghabra gaya.

Office phone kiya to watchman ne call liya aur kaha ke shaam 4.30 ko saare staff ghar chae gaye, koyi bhi nahin tha uss waqt office closed ho chuka tha.

Barah baje raat tak Tariq apne ghar se Ruksanah ki office tak dhudne gaya galiyon mein sadkon par, restos mein jahan bhi Ruksanah jaa sakti thi Tariq ne dhunda magar kahin nahin mili to police mein report likhwane gaya. Subha ke 1 baje the jab report darj hui. Uss se kaha gaya ke 24 hours wait karen agar phir bhi wapas nahin aayi tab case banaya jaega.

Agle din subha 9 baje Tariq Ruksanah ke office chala gaya sab se puch taaj karne ke Ruksanah kitne baje office se nikli thi aur kyun ghar wapas nahin aayi… Ruksana ke doston se pucha, manager se puccha, sab se pucha sab se ek hi jawaab mila ke kal Ruksana ne half day leave liya tha, din ke 12.30 ko office se nikal gayi thi, kaha tha ke kuch personal kaam hai….

Uss shaam ke 5 baje police ne Tariq ko hi utha ke bandh kar diya uss se hazaaron tarah ki sawaal karte hue aur ussi par ilzam lagaate hue ke ussi ne apni wife ki katal karke kahin dafna diya hai….. police ne ussko uthaane se pehle Ruksanah ki office mein bhi gaye the wohi information police ko bhi mile the jo Tariq ko diye gaye the. To police ko shak hua ke Tariq ne khud apni wife ko early usse milne ko kaha tha aur khud ghaayab karke ussko dhundne ki naatak kar raha tha.

************************************************************

Dsouza pichle 2 mahinon ke saare reports padh raha tha aur Inspector panday ko bula kar pucha ke Ruksana ki mobile ki call reports kyun nahin hein reports mein? Usski mobile number hein magar call details nahin hein.

Panday ne kaha ke abhi tak mile hi nahin, kyunke mobile Tariq ke naam par tha, Ruksana ke naam par nahin simcard bhi Tariq ke naam par hi registered tha.

Dsouza: “jitna jaldi ho sake mujhe sabhi calls details chahiye usski uss mobile ki jo abhi tak mili nahin, jiss par Tariq ne phone karna shuru kiya tha uss gumshudgi ki shaam ko. Uss par aur kiss kiss ne call kiya, kiss ne ussko uss roz 12.30 ko call kiya etc I want all, this is elementary yeh to aap ko sabse pehle nikalwana chahiye the to kyun aaj tak yeh nahi hua hai?”

Panday: “kaha nah sir, ke humne bhi yehi try kiya tha shuru mein hi magar kuch nahin mila hai abhi tak. They are late to respond hum kia kare sir!”

Dsouza: “aur iss file mein Tariq ke landline aur mobile ke sabhi call details hein ya nahin?!”

Panday: “haan Sir usske sab details hein.”

Dsouza: “thik hai let me check, tum tab tak wo kaam karo, jao”

Aur Dsouza file mein se unn calls ke list, numbers incoming aur outgoing dekhne laga jo Tariq ke numner par kiye gaye the….

Ab hamesha har kissi ke phone par koyi eisa banda hota hai jiss ko har koyi sabse ziada call ya messages karta hai, aur koyi ek banda eisa bhi hota hai jo sabse ziada call ya mesg karta hai, to Dsouza unn numbers ko highlight kar raha tha jissne sab se ziada calls kiye aur jisski sabse ziada calls receive kiye hein Tariq ki phone ne. Dsouza hataash gaya dekh kar ke sabse ziada calls Ruksana ko hi kiya hua hai Tariq ke phone se aur receive bhi ussi ke phone se ziada hua hai. To second position aur third position wale number ko highlight karne laga Dsouza.

Second position par call karne wale ka naam tha, Virendra. Third position tha Rocky aur bracket mein rocky ke naam ke saath likha tha Joseph yaane Rocky(Joseph)

Aur jab inn ke naam ke report dhundne laga Dsouza to kuch nahin tha file mein. Dsouza ko ghussa aya aur Panday ko phir bulwaya.

Panday: “yes sir?!”

Dsouza: “Inspector Panday, yeh Virendra aur Rocky Joseph ke bayaan nahin dikh raha mujhe kidhar hein?!”

Panday: “nahin hein sir, inn donon mein se kissi ki statements nahin hai.”

Dsouza ne thoda ghusse aur thoda heyraani mein apne maathe pe sikanjh laate hue pucha,

“kyun nahin hein?!”

Panday: “Sir Virendra USA mein hai aur Rocky Goa mein!”

Dsouza: “Really? Aur number 1 kab se USA mein hai kiss date se? Aur dusra kab se Goa mein hai?”

Panday: “Sir abhi yaad nahin magar main ne report mein sab exact date aur time likha hua aap dekh lijiye.”

Dsouza: “achah thik hai jao!”

Panday ke jaane ke baad Dsouza ne report ko ghaur se dekha aur pata chala ke Virendra, jiss din Ruksanah ghaayab hui uss se ek din pehle USA ke liye Rawana ho gaya tha, aur Rocky bhi thik ek din pehle hi Goa ki ticket liya tha…. Dsouza ko inn donon ke baare mein aur gehraayi se jaana tha, baaki ke reports dekhne ke baad ussko aur kuch bhi nahin mila inn donon se related. To ek baar phir Panday ko bulwaya Dsouza ne, iss baar Virendra aur Rocky ke calls aur messages ke details jaane ke liye. Wo bhi nahin the reports mein. To Panday ne kaha,

“Sir wo donon desh mein hi nahin hein to humne unnke details nikaalne ki zaroorat nahin samjhe”

Dsouza: “How irresponsible from your part man! Chalo ab inn donon ke bhi details nikalwao aur jald se jald please! Filhaal Tariq kidhar hai wo jaanna hai mujhe, any news? Usske piche ek constable tha nah?”

Panday: “Sir constable ne bataya ke Tariq ab bhi apni wife ki talash kar rahe hein, wo Ruksanah ki kissi Saheli ke ghar gaya tha koyi 20 mins tak unn se baat kiye phir abhi kissi park mein baitha cigarette pee raha hai yahan se 15 kms door, constable bhi wahin hai!”

Dsouza: “Mujhe abhi isi waqt uss ladki se milna hai jiss se Tariq baat kar raha tha, kahin eisa to nahin ke tariq ki koyi affair ho kissi aur ladki se iss liye uss mein aur Ruksanah mein jhagda hua ho?! Constable se uss ladki ki address ka pata karo aur mujhe do phir tum mere sath wahan chalna!”

Panday: “Yes, sir.”
******************************************************

Uss ladki se baat kar rahe the Dsouza sahab, wo 5 kms door rehti thi.

Dsouza: “Miss Anjali aap hamein yeh batayein ke Tariq aap se kyun milne aaye the aur aap unnko aur Ruksana ko kab se jaante hein?!”

Anjali: “Sir main aur Ruksana same Firm mein kaam karte hein pichle 5 saalon se, aur Tariq ji yehi puchne aaye the ke jiss din Ruk ne half day leave liya tha to kahan gayi thi”

Dsouza: “To ye baat ussne already nahin puch liya tha aap se jiss din wo office aaye the sab se puch taaj karne?”

Anjali: “Nahin Sir uss din main absent thi. Mujhe fever tha. Main ne Ruksanah ko phone karke bataya tha ke main nahin ane wali thi uss din, Ruksanah ko pata tha ke mujhe fever tha.”

Dsouza: “Aap ruksana ke bahot close thi?”

Anjali: “yes sir hum donon ek hi department mein kaam karte the nah iss liye.”

Dsouza: “Aap mujhe Ruksanah ki wo number de sakte hein jiss number par aap ne ussko call kiya tha uss din?”

Jab Anjali ne number diya Dsouza ko aur ussne immediately check kiya, to number wohi tha jo reports mein maujood hai. Phir Dsouza ne pucha,

“kia aap ki Saheli ka koyi aur number, ya mobile tha?”

Anjali kuch pal ke liye khamosh rahi aur sochne ke baad kaha,

“No sir mujhe nahin pata ke usske paas aur ko mobile tha ya nahin haan ek baar usski mobile ki battery down thi to mere mobile se ussne Tariq ko message kiya tha.”

Dsouza: “kia aap ke paas ab bhi wo message maujood hai aap ki mobile mein, can I see please?”

Anjali: “Sir wo last year ki baat hai, messages ab nahin hai, tab mera koyi aur mobile tha yeh 2 months old hai!”

Dsouza: “okay, aap yeh batao kia aap Ruksanah ke ghar aate jaate the? I mean itna close friend the aap donon ke ek dusre ke yahan ana jaana ho?!”

Anjali: “yes sir aate jaate to the hum ek dusre ke ghar magar not so often kabhi kabhi. Wo bhi aati thi mere ghar eisi hi kabhi kabhi.”

Dsouza: “aap ke ghar mein aur kaun kaun hein miss Anjali?”

Anjali: “sir mere papa, ek chota bhai aur ek badi sis!”

Dsouza: “aap ki mummy nahin hai?”

Anjali: “no sir kayi saal pehle usski death ho gayi”

Dsouza: “Ruksanah aap ke gharwalon se ghul mil chuki hogi aate jaate, mera matlab aap ki daddy aur bhai behen ke sath?!”

Anjali: “Yes Sir Ruksanah mere dad aur bhai ke bhi friend thi”

Dsouza: “Very good. Ab aap please mujhe yeh bataiye ke Ruksanah aur Tarik ka Rishta keisa tha Anjali ji?”

Anjali: “They were a very good couple Sir. Donon mein bahot pyar tha, they really were fond of each other. Main to Ruksanah se hamesha kehti thi ke mujhe bhi tere husband jeisa hi koyi chahiye!”

Dsouza: “They have no children itne saalon ke shaadi ke baad iss baare mein aap kuch clear kar sakti ho kia?”

Anjali: “Tariq loves kids but Ruksanah had some issues with her reproductive system iss liye bache nahin the!”

Dsouza: “Thanks very much miss Anjali, agar kabhi zaroorat pade to hum aap se phir mil sakte hein iss baare mein baat karne ke liye? Hope you will not have any objections?!”

Anjali: “Anytime sir, will help you with pleasure.”

Dsouza: “Thanks very much by the way ghar mein aap akeli hein? Aap ki dad se milte jaata main!”

Anjali: “wo koyi ek ghante mein ane hi wale hein mera elder sis ke saath kahin gaye hue hein.”

Dsouza: “aura ap ka chota bhai bhi saath hoga?!”

Anjali: “No, Sir, wo to yahin hai kaan mein earbuds thus ke music sunta rehta hai ussko to pata bhi nahin ke aap aaye ho! main ussko bullaun kia?”

Dsouza: “No its okay phir kabhi thanks and bye miss Anjali.”

Anjai ke ghar ke darwaze tak reach hokar Dsouza ne phir mudkar pucha,

“Errr yes, ek baat aur, kia uss din aap ko Ruksanah ne bataya tha ke wo half day leave le rahi hai office se?”

Anjali: “No Sir I was not aware of that, wo jab main do din baad office gayi tab pata chala, iss liye ke ek to main absent thi upar se ussne half day liya tha to kaam atak gaye the aur boss ghussa ho raha tha…”

Dsouza:”Tab aap ne bhi Ruksanah ko call karne ki koshish ki hogi uss se pcuhne ke liye ke ussne aap ko kyun nahin bataya tha ke ussne half day leave liya tha?”

Anjali: “Of course kiya tha sir but call was not going through!” ……

Jab wapas jaane lage to Panday ne Dsouza se kaha,

“Sir, main ne to iss ladki se kabhi baat bhi nahin kiya, mujhe to pata bhi nahin tha ke yeh bhi wahin kaam karti hai jahan Ruksanah karti thi!”

Dsouza: “Wo iss liye ke uss din wo absent thi jab tum puch taaj karne gaye the uss office mein. Mujhe uss office mein bhi jaana hoga aur ruksana ke baare mein aur puch taaj karna hoga, eise hi kissi aur kadi ko tum miss kar gaye honge I am sure.”

Panday: “Abhi chalein Sir?”

Dsouza: “Mister Panday are you mad? Abhi kitne baj rahe hein? Suraj dhalne ko hai to office mein kaun hoga iss waqt? Anjali office se wapas aayi tabhi to hum uss se ghar par
baat kar paaye nah?! …. Weise mujhe ab Tariq se bhi personally baat karna hoga”

Dsouza: “Not a good idea Sir, abhi wo chidchida hai 2 mahinon tak andar rehkar hum logon se….”

Dsouza: “Wo tumse ghussa hai mujhse nahin!”

To be continued……. (2202 words)
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 3 Dsouza talks to Tariq

Dsouza Tariq se jab milna chaha tab tak raat ho chuka tha. To decide kiya ke dinner ke baad usske ghar jaega uss se milne.

Jiss dauraan Dsouza dinner kar raha tha to Panday unnko yeh kehne aya,

“Sir, bon appetit, Sir, Tariq iss waqt Casino mein khel raha hai, sala gambler nikla!”

Dsouza munh mein ek niwala le raha tha aur Panday ki baat sunkar usska niwala atak gaya!

Phir apna jabda chalate, khana khaate hue Dsouza ne kaha,

“His wife is missing and he is at the Casino? He is playing? Very strange. Ab Inspector Panday inn do mahinon mein aap ne to yeh pata lagaya hi nahin hoga ke Tariq ke routines vaghaira ke baare mein ke wo kia karta hai kahan ata jaata hai, kiss kiss se milta hai, yeh sab to aap ne kiya hi nahin kyunke ussko utha ke buss hawalaat mein daal diya hai nah?!”

Panday ne apna sar niche jhuka liya Dsouza ke iss baat pe.

Dsouza ne phir pucha,

“To kia wo constable abhi tak Tariq ke piche laga hua hai?

Panday: “yes sir”

Dsouza: “are wo bhi insaan hai, abhi tak ussi ko kyun lagaya hua hai kissi aur ko shift kyun nahin kiya?”

Panday: “Sir wo constable happy hai civil dress mein weise ghumna, wo enjoy kar raha hai Sir duty karte hue, abhi casino mein hai wo bhi hahahaha!”

Dsouza ne niwala ningalte hue kaha,

“Really? He is enjoying, to phir sahi hai ussi ko rehne do, aur uss se kaho jeise Tariq ghar wapas aaye mujhe bataaye main tabhi Tariq se milne jaunga.”

Panday: “okay sir.”
*******************************************************

Subha ke do baje Tariq Casino se wapas ghar aya. Dsouza apne quarter mein so rahe the aur Panday ghar jaa chuka tha, to uss constable ne direct Dsouza ko phone kiya,

“Sir ji, sorry disturb karne ke liye, Panday saab ne mujhe aap ko phone karne ke liye bola tha, Sir tariq sahab ab apne ghar aa chuke hein main kia karun ab ghar wapas jaun ya idhar hi rahun main?”

“Dsouza sahab ne ubasee lete hue time dekha aur constale se kaha,

“Are bhai subha ke do baj chuke hai tum ghar wapas jao, Tariq bhi to soega ab nah? To kal subha late uthega zaroor, to tum kal subha 8 baje issi duty par lag jana aaj ki tarah thik hai? Aur mujhko subha usske ghar ke saamne se phone karna iss se pehle ke wo ghar se nikle mujhe wahan ana hai uss se milne.”

Constable: “okay Sir ji, good night sir ji!”

Dsouza: “abe good morning bol subha ho gaya hai!”

Constable: “haan good morning sir ji, main chala sone ab”

****************************************************

Agle subha ko Dsouza Tariq ke ghar mein nazar aaye uss se sawaal karte hue

Dsouza: “To aap gamber bhi hai? Kab se khelte ho aap Mister Tariq?”

Tariq: “kayi saalon se Sir. Pata nahin keise yeh latt lag gayi sala chhutta hi nahin! Drug se bhi buri aadat hai yeh!”

Dsouza:”aur jeet hoti hai aksar ya kabhi kabhi?!”

Tariq: “jeet? Hahaha! Sir 1 crore tak kho chuka hoon pichle 10 saalon mein!”

Dsouza: “pata tha. bahot saare juwadiyon se mera paala pada hai, sab yehi kehte hein. Casino jaane wale sirf haarte hein. Ek baar jeet gaye to 100 baar uss jeet se 100 gunah ziada haarte hein. Kehte hein nah

Cash

Always

Stored

In

Never

Out

Yehi CASINO ka matlab hai miyan.”

Tariq: “haan sahab pata hai magar latt hai, chhutta hi nahin.”

Dsouza: “aap ki wife ko pata hai ke aap khelte ho?”

Tariq: “Shuru mein nahin pata tha usse. Matlab shaadi ke baad se shuru kiya tha khelna main ne. Tab ek raat ko mujhe batana pada kyunke mere sabhi savings khatam ho gaye the jitna bank mein tha sab zero ho gaya tha khelte khelte. To ussko tab batana pada mere shop ke samaan kharidne ke liye mere paas paise nahin the so she gave me from her savings to buy my goods for the shop….. this is how she came to know.”

Dsouza: “bahot naraz hui hogi nah?”

Tariq: “Obviously naraaz hui thi magar she loved me so much, that she forgave all my mistakes, usska hai hi kaun mere siwa sir, hum donon ek dusre se bahot love karte hein aur support karte hein ek dusre ko kissi bhi haal mein.”

Dsouza: “hmmm very good. To uss din ke baad kia ussne aapko wapas casino jaane diya?”

Tariq: “jab ussko pata chala ke mujhe khelna passand hai to hum doon ne milkar baat kiye ke keise control kiya jaaye. To decide kiya gaya ke weekends mein jaunga aur jo kaam mein profits hue hein unn profits mein se sirf 25% se khelunga chaahe jeetun ya haarun aur weisa hi kiya. Tab ek din 2 laakh jeeta main. Jackpot tha. uss raat ko wo bahot khush hui. Uss do laakh mein se hi khelta raha kayi mahinon tak, phir beech mein aur ek laakh ki jeet hui, magar usske baad koyi jeet nahin hui bada wala sab haarta gaya aur jitney bhi jeete the sab zero ho gaya ek saal mein.

Phir ek baar aur hua ke mere sabhi savings end ho gaye aur ussne dobara mere liye smaan kharide shop ke liye apni savings se….. buss eisa chalta raha sir…”

Dsouza: “kia aap kabhi ussko casino le gaye ho?”

Tariq: “haan 3 ya 4 baar mere saath gayi hai, main usse dikhana chahta tha, balke wo jaanna chahti thi keisa hota hai kelna, aur wahan ka kia mahaul hota hai ke main raat raat bhar udhar rehta hoon, to gayi thi mere saath aur mujhe khelte hue dekh rahi thi…. Lucky saabit hui thi mere liye sir, jab jab bhi wo mere saath gayi main jeetta tha hehehehe!”

Dsouza: “To har raat kyun nahin lejaate ussko apne saath? Har raat aap ki jeet hoti phir, agar wo aap ki lucky charm thi to?!”

Tariq: “ussko wo mahaul nahin passand tha sahab. Inkaar karti jaane ke liye baad mein.”

Dsouza: “oh I can understand that, yeah!”

Tariq ne thoda sa coffee serve kiya aur peete hue Dsouza ne pucha,

“Well Mister Tariq, mujhe apne doston ke baare mein kuch bataoge aap?”

Tarik ne bhi Cofee cup e sip karte hue kaha,

“ziada dost to nahin hein sahab, agar aap customers ko bhi doston ke list mein sochoge to…..”

Dsouza ne usske baat ko kaatte hue kaha,

“No leave customers apart, tell me about your close friends.”

Tariq: “Sir, hum Ruksanah ko dhund rahe hein ya aap mere personal life ke baare mein puchne aaye ho Sir?”

Dsouza: “Dekho Mister Tariq, aap ko yeh ajeeb lag sakta hai but hum investigators ko har ek uss insaan ke baare mein pata laga padta hai jo aap se aur aap ki wife se related ho sakte hein, aap ke doston ke through humko bahot ziada clues bhi mil sakte hein, this is for the betterment of the investigation about your wife. Humko sab sahi se pata chalega tab nah hum ussko dhundne mein kaamyaab honge?!”

Phir iss se pehle ke Tariq kuch kehta, Dsuza ne add kiya,

“weise aap ne kahan kahan dhunda apni wife ko? Aap ke khayal se kidhar gayi hogi aur ussne uss din ko kyun half day leave liya tha? kia wo aap ko batata nahin jab leave leti hai to? According to your and her call lists main ne dekha ke any time din bhar mein aap donon ek dusre ke contact mein rehte ho ya sms se ya call ke through, to kia aap ko pata nahin tha pehle se ke wo half day off le rahi thi uss din? Agar pata tha to kyun liya tha leave ussne uss din ko?!”

“Yes sir hum din bhar ek dusre se contact karte rehte hein. Subha ko jab main ussko usske office ke building ke saamne chorr kar apne shop mein pahunchta hoon to usski pehli mesg har roz aati hai, “wish you a very nice day, love you muuuuah” phir lunch ke time ‘hv a nice lunch’ wish karte hein ek dusre ko, phir agar wo ziada busy hoti hai to wo nahin mesg karti par main karta hoon shaam ko jab wo wapas ghar jaa rahi hoti hai, kyunke wo mujhse pehle work end karti hai. Tab wo ghar pahunchne par mujhko sms karke bataati hai ke ghar reach ho gayi….”

Dsouza: “yeh sab dekh chuka hoon Tariq ji. Mujhe yeh to batao kia uss din ko ussne aap ko bataya tha ke wo leave le rahi hai ya nahin?!”

Tariq: “No sir, nahin bataya tha ussne yehi mujhe bahot strange lagi ke agar ussko leave lena tha to wo mujhko bataaye bina nahin leti, agar liya bhi to kyun mujhe nahin bataya, yeh bahot hi strange baat hai Sir, mujhe yahin par kuch ghotala lag raha hai… Sir kia pata jeise wo office se nikli haat mein molile se mujhe text kar rahi thi ke kisi ne usske haat se mobile chin liya, ek chor aur bhaag gaya , Ruksana usske piche bhaagi aur uss chor ke kissi dost ne piche se Ruksana par hamla kiya, aur baat bigar gayi to donon ne ussko kahin chhupa diya ya anything could have happened nah sir?!”

Dsouza: “Ho sakta hai, kuch bhi ho sakta hai, jab tak sahi baat ka pata nah chale anything can be assumed… magar keise pata chale ke hum ya aap sahi soch rhe hein ya nahin? Isske liye hum investigators hote hein Mister Tariq. Yehi hamara kaam hai iss ke tey tak pahunchna!... Aap yeh bataiye, kia aap ke khayal se agar usski mobile uss din ko down hoti to wo aap ko keise contact karti, kia kabhi eisa hua hai ke kissi vajah se ussne aap ko kissi aur tarike se contact kiya apne mobile ke siwa?”

Tariq: ”haan Sir kayi baar apni mobile ke ilawa office ke phone se call kiya mujhe, ekaat baar Anjali ki phone se text kiya, kabhi baahar ke phone boot se bhi contact kiya aur ek ya do baar apne papa ke ghar pahunchne par usske landline se phone kiya mujhe.”

Dsouza: “apne papa ke ghar aksar jaati thi?”

Tariq: “har mahine mein ek ya do baar to jaati hi hai. Jabse usski maa guzar gayi hai to baap akele hota hai nah to usske saath kuch waqt guzarne jaati hai. Har baar jab wahan jana hota hai to wo wahin rehti hai main shop bandh karne ke baad ussko pick karne jata hoon. Donon wahin dinner karte hein tab raat ko ghar wapas aate hein.”

Dsouza: “hmmm aur yeh every month mein do baar hota hai?”

Tariq: “kabhi 3 ya 4 baar bhi Sir.”

Dsouza: “can I get the address of your father in law please?”

Tariq ne apne sasur ki address likh kar de diya Dsouza ko. To Dsouza ne pucha,

“yeh usski office se kitne door hai yeh jagah?”

Tariq: “yehi koyi 7 kms honge.”

Dsouza: “aur keise jaati hai office se wahan tak? Bus se ya??!”

Tariq: “kabhi bus se ya kabhi taxi se!”

Dsouza: “Mister Tariq, I have only one passport size photo of your wife in the files, can I see her in more photos, agar aap ki mobile mein kuch recent pics hein to can you forward a few to my number please?!”

Tariq ne turant koyi 20 Ruksana ki recent pics send kiye Dsouza ke mobile par aur phir apne wedding photo album dikhaane lage Dsuza sahab ko.

Photos dekhte hue Dsouza ne sawaal kiya,

“kitne saal hue aap ki shaadi ko ruksana se?”

Tariq: “10 saal sir.”

Dsouza photo album ke pages palatte hue kaha,

“hmmmm aur inn 10 saalon mein dekh raha hoon ke Aap ki wife ab bhi same dikh rahi hai, she is very beautiful and sorry for the expression I must say she is pretty hot!”

Tariq ne muskuraate hue kaha,

“Thanks for the compliment Sir, yes she is indeed hot and she still gets many guys flirting around with her hehehe!”

Dsouza: “really? And that does not disturb you?”

Tariq: “shuru mein main bahot ghussa hota tha Sir jab koyi usske taraf dekhta tha to. Magar jab bhi main ghussa hota to Ruksanah kehti ke mujhko khush hona chahiye ke koyi aur meri wife ko dekh raha hai which means ke your wife is special, and very beautiful, you must feel proud and happy - to ussne meri soch ko badla sir, main ne baad mein sach mein feel kiya ke meri wife special hai iss liye meri wife ko log achi lagti hai aur weise sir hum mard bhi to dusron ke wives ko dekhte hein nah? To iss mein kia buraayi hai buss dekhte hein kuch bura to nahin karte nah? To ussi tarah main apni wife ke baare mein bhi sochne laga ke dusre bhi ussko weise hi dekhte hein jeise main kissi aur beautiful aurat ko dekhta hoon, iss mein uss aurat ki beauty ki taarif, compliment hoti hai. Mindset ko kuch weisa bana liya tha main ne baad mein.”

Dsouza: “very good, veisa hi sochna chahiye, sahi tarika hai jalan aur ghusse se bachne ke liye….”

Tariq: “Ruksana kabhi bhi disturb nahin hoti jab koyi ussko dekhta hai ya flirt bhi karta hai to, wo to ghar wapas aakar mujhko sab batat hai ke falana ne aaj mujhse flirt kiya, falana ne yeh kaha wo kaha etc….”

Dsouza: “achah? Aur yeh fallana chilaana kahan milte hein aap ki wife ko?”

Tariq: “are usske office ke collegues sir!”

Dsouza: “oh I see, main kuch aur soch raha tha!”

Tariq: “Sir mere khud ke dost usske saath flirt karte hein mere samne – just jokes like flirts!”

Dsouza: “That’s where I wanted to come mister Tariq. Aap ke dost kitne hein? Aur abhi jo aap ne kaha wo kaun sa dost ke baare mein kaha aap ne?”

Tariq: “Haan aap pehle bhi puch rahe the nah, haan ho ziada to dost nahin hein mere. Do hein jo bahot close hein, Virendra aur Rocky. Rocky aka Joseph.”

Dsouza: “aur yeh donon aap ke saamne Ruksanah s flirt karte hein?!”

Tariq: “hahaha Sir jeise aap soch rahe hein weisa kuch nahin, yeh donon mere bahot close hein to aksar ghar aya jaya karte hein, aksar hum dinner saat mein karte hein, Ruksana ki donon se khub banti hai, bhai behen jeise hein teenon. Shuru mein donon bhabi bhabi keh kar bulaate the ussko phir naam se bulaane lage itne close ho gaye sab. We are all very good friends.”

Dsouza: “yeh bataiye, ke kab aap ke saamne uss se flirt karte hein donon?!”

Tariq: “are sir aap ne baat ko kuch ziada hi serious le liya, mere kehne ka matlab wo nahin jo aap soch rahe ho, Ruksana ko mere saamne chedhte hein donon…. You know the type of mazaak, ke main tera husband hota to yeh karta, yeh tariq tere liye fit nahin hai etc…. kuch eisi baatein karte hein teenon…. Main buss hanssta hoon… aur jab donon wapas chale jaate to Ruksana khud kehti ke tere dono dost tere saamne mujhse flirt kar rahe the aur tum hanss rahe the! – yeh sab mazaak hote the sir!”

To be continued …. (2600 words)
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 4 Investigation continues

Dsouza: “Ek baat bataiye Tariq ji, Aap ke donon dost kyun aur keise baahar hai thik aap ki wife ke ghayab hone ke ek din pehle se, kia aap ko yeh baat nahin khatki?”

Tariq: “Iss mein khatakne wali baat hai hi nahin Sir. Virendra ki bhatije ki shaadi hai USA mein, wo ek mahine se jaane ke liye tayaar tha aur yeh baat Ruksanah ko bhi pata hai ke Virendra USA jaane wala tha, balke ussne Virendra se koyi special gift laane ko kaha hua hai Virendra ko.”

Dsouza: “Really? Eisi baat hai kia? Virendra ki umar kitni hogi Tarik ji?”

Tariq: “around 38 ke hai wo sir.”

Dzouza: “Aur usska shaadi karne ki umar ka bhatija bhi hai?”

Tariq: “Yes sir, Virendra ka bada bhai 46 ke around ka hai aur usska beta 22. Ussi ki shaadi hai. Main Virendra ke bhai ko bhi jaanta hoon wo last year aye the pariwar ke saath India ghumne to milaya tha Virendra ne mujhse!”

Dsouza: “Aur aap ka wo dost wapas kab arahe hein pata hai aap ko?”

Tariq: “keh ke gaya tha ke 2 mahine baad ajaega visa utne hi dinon ka mila hai usse.”

Dsouza:”Last time kab mile the wo aap se? Mera matlab hai aap donon se? usske jaane se pehle aap ne usske liye koyi party sharty to diye honge nah?!”

Tariq: “Party to nahin keh sakte usse Sir, buss ek dinner par invite kiya tha usse Ruksanah ne, aur ghuss kaha tha uss dinner ko taake usske badle mein wo USA se usske liye koyi badhya sa gift lekar wapas aaye hehehe”

Dsouza: “Aur kitne din exactly hue uss dinner ko diye hue? Exact date pata hai aap ko?”

Tariq: “Are Sir, usske jaane se 4 din pehle weekend tha, Sunday evening ko wo hamare saath hi tha, aur Thursday ko plane liya tha ussne”

Dsouza: “Aur Friday ko Ruksanah ji half day lekar office se nikli thi!”

Tariq: “Exactly sir. Dimaagh kharab ho gaya hai mera soch soch kar ke kia hua hoga, kahan gayi, kiss se usska paala pada, kissi ne uthaya, kissi se jhagda hua, kissi ne car se thok diya aur body utha legaya? Ya abhi zinda hai kahin magar behosh hai, yaadaasht kho baithi hai choat lagne ki vajah se… bahot saari baatein aati hai dimaagh mein Sir….. yaar sir please aap usse dhundye nah main thak gaya hoon, tut chuka hoon, usske bina yeh ghar mujhko kaatne ko daudta hai Sir…..”

Dsouza: “ussko dhudne ke liye hi itne saare sawaalon ko aap se kiye jaa raha hoon Tariq sahab, aap cooperate karoge to humko usse dhundne mein asaani hogi.”

Tariq: “Thik hai sir aap puchiye jo bhi puchna hai main saare sawaalon ka jawaab de hi raha hoon aap ko.”

Dsouza: “Ab mujhe thoda sa detail mein uss Sunday ki dinner wale raat ke baare mein batao, kitne baje aya, kiss time ko dinner kiya, dinner ke baad kia kiye aap teenon ne aur kitne baje wo aap ke ghar se wapas gaya etc…”

Inn sab sawaalon ka puchna Dsouza ke liye zaroori iss liye tha kyunke wo itna experienced tha ke kissi ke rawaye se, usske chehre ko dekh kar, usske haav bhaav dekh kar exact bata sakta tha ke banda keisa hai, bande ki fitrat kia hai…. Yeh sab training hoti thi FBI mein kaam par lagne se pehle USA mein….. to Tariq ne uss shaam se lekar Virendra ki dinner karne ke baad ka sara wakeah sunaya,

“hum teen nahin chaar the sir!”

Dsouza: “chaar? Aur kaun tha?”

Tariq: “are wo Rocky bhi to tha nah saath mein hamare!”

Dsouza: “Oh wo bhi tha? main ne socha Virendra USA jaa raha tha to dinner sirf usske liye tha….”

Tariq: “Nahin donon hamesha hamare yahan saath hi aate the, bahut kum eisa hua ke ya rocky akele aya ho ya Virendra akele, donon gehre dost hein aur jab bhi hamare yahan ana hota to donon saath aate the, ab jab Ruksanah ne Virendra ko invite karne ka socha to Rocky ko bhi invite kiya saath mein dinner ke liye.”

Dsouza ne socha ke chalo issi bahane ab Rocky ke baare mein bhi kuch pata chal hi jaega lage haath.

Tariq:”shaam 6 baje donon ghar aa gaye the.”

Dsouza: “Aur kitne baje wapas gaye aap keg har se?”

Tariq: “raat barah se sadhe barah baje tak”

Dsouza: “6 ghaton tak donon aap ke yahan rahe?! Yeh to full party night the! Aura ap keh rhe ho ke party nahin thi….”

Tariq: “Sir yeh donon jab bhi aate the eisa hi hota tha, kabhi to 2 baje wapas jaate aur kabhi to mere ghar hi so jaate donon! Kayi baar raat guzaare hein mere yahan donon ne!”

Dsouza: “great, superb. To kariban kitne saalon se aap ki dosti hai inn donon se? kiss ko aap pahle se jaante ho Virendra ko ya rocky ko?”

Tariq: “Virendra dar assal mera customer tha pehle. Ek baar ek gift kharidne aya tha aur dusre din uss gift ko wapas karne agaya. Usska karan ek ladki thi. Ladki ko gift nahin passand aayi thi aur choice mera tha. Virendra ke samajh mein nahin araha tha ke kia gift de uss ladki ko aur mujhse hi chose karne ko keh diya aur jo main ne chose kiya ladki ko passand nahin aayi to Virendra mujhe lautaane aya tha…tabse hamaari dosti hui thi…”

Dsouza: “aur yeh baat aap ki shaadi se pehle ya baad mein hui thi?”

Tariq: “shaadi ke baad sir.”

Dsouza: “okay, phir Rocky se keise dosti hui aap ki?”

Tariq: “Virendra ne hi karwaya meri dosti rocky se. Rocky usska dost tha to usski girlfriend ke liye koyi gift chahiye tha to Virendra rocky ko lekar mere shop par aya tha, aur wohi kissa tha jo Virendra ke saath tha, mujhse chose karne ko kaha tha koyi gift.”

Dsouza: “Aur usski girlfriend ne bhi refuse kiya hoga?!”

Tariq: “Nahin ussko passed aayi thi mera chose kiya hua gift.”

Dsouza: “Acha yeh batao ke pehli baar kab aur keise aap ne unn donon ko apne wife se milwaya?”

Tariq: “kia sir main thak chuka hoon aapke sawaalon se karib do ghante se aap ke sawaalon ka jawaab de raha hoon, kal continue nahin kar sakte kia? Abhi mujhe kuch yaad aya hai main Ruksanah ko kissi khaas jagah par dhundne ko soch raha hoon…. Please kal baat karte hein nah!”

Dsouza: “okay agar aap chaahe to kal milte hein phir jaari rakhenge baat cheet ko, weise aap kidhar jaa rahe ho dhundne apni wife ko? Hum bhi saat chale to shayad madad kar sakun?!”

Tariq: “Nahin Sir main akela hi jaunga, kia pata mera dimaagh mujhe sahi dusha dikha raha hai iss waqt!”

Dsouza: “jeisa aap chahe its ok, kahin eisa to nahin ke ap Casinon jaa rahe ho?!”

Tariq: “abhi din hai sir wahan to raat ko jata hoon!”

Dsouza: “Casinon to din mein ab chalta hai Tariq ji”

Tariq: “haan pata hai magar sirf raat ko hi jata hoon sir.”

*******************************************************

Wo constable baahar sadak par civil dress mein wait kar raha tha, aur jeise Dsouza baahar nikla uss se keh gaya ke Tariq nikalne wala hai uss par nazar rakhne ko, constable apne bike par tha aur ussko follow karne mein asaani hota tha weise. Ussko pata tha ke keise door rehkar Tariq ko follow karna tha aur wo baakhubi apna kaam kar raha tha.

Dsouza police staion pahuncha aur Panday ko bulaya Tariq ki record ki hui baaton ko sunne ke liye.

Sunne ke baad Panday ne kaha,

“Sir mujhe to inn do doston par pehle se hi shak tha!”

Dsouza: “Achah? Aur giraftaar tumne Tariq ko kiya tha? tumko police mein kiss ne bharti kiya?!”

Panday: “Sorry sir, magar aap se yeh keise itna kuch bol gaya hum ne do mahinon tak iss se sawaal kiye aur issne ek lavz bhi nahin bola, humko agar issne itna kuch bataya hota to hum unn donon ko geraftaar kar lete!”

Dsouza: “keise giraftaar karte unn donon ko tum? USA aur goa jaakar?”

Panday: “Sorry sir!”

Dsouza: “main khud unn donon ko giraftaar nahin kar sakta agar iss waqt wo donon mere saamne bhi hote to!”

Panday: “kyun sir?”

Dsouza: “kyunke humko sirf shak hai? Aur shak truth nahin hota! Saboot chahiye hote hein pehle, tab kissi ko giraftaar kiya jaa sakta hai…. Haan hum jhooth bolkar kabhi giraftaar karte hein ek bande ko darraane ke liye magar yeh kanoonan jurm hai, aur kabhi kabhi eisa karne se humko sach ka pata chal bhi jata hai!”

Panday: “to ab kia karna hai sir?”

Dsouza: “Panday ji aap ko nah; traffic police mein hona chahiye yeh Inspector iss police station ka kiss ne banaya aap ko? Aap ka kissi minister rishtedaari hai kia?”

Panday: “ssshhh aap ko keise pata chala sir?”

Dsouza: “Oh I see! To yeh baat hai aap ko minister ne bithaya hai iss thaane mein seat garam karne ke liye, satyanaas!!!”

Dsouza police station se nikla aur commissioner se milne gaya. Unn se milkar Dsouza ne Tarik se kiye hue baton ko sunaya aur unn photos ko bhi dikhaya ccommissioner sahab ko aur yeh kaha,

“Sir yeh Ruksanah nah ek muslim wife hai magar inn 20 photos mein dekhiye, ek bhi photo mein wo muslim traditional dress mein nahin hai…. Skirt aur blouse, midi, jeans and top sabhi eise libaas mein hein, strange nah?!”

Commissioner: “Modern hai shayad iss liye, office worker hai nah? yeh wala photo shayad usski uniform hai office wala lagta hai nah?!”

Dsouza: “you are right sir, uss din main Anjali se mili thi to eise hi dress mein thi, wo office se wapas aayi thi… yes yehi uniform hai usski office ki….”

Commissioner: “Anjali kaun?”

Dsouza: “Ruksanah ki collegue aur Saheli hai”

Commissioner: “aap ko kia lagta hai, yeh zinda hogi ab tak?”

Dsouza: “No idea at all Sir. Itni sexy aurat, itni khubsurat, kuch bhi ho sakta hai….. ab isski character ke baare mein keise pata karein Sir? She could be manipulative, she could have been manipulating her husband and he was not aware due to the love he had for her, and she could be having an affair….. or could be the vice versa…. Tariq also could be having an affair with someone else and she had a quarrel and left him for good… kuch bhi ho sakta hai…. Abhi wo shayad kissi khaas jagah par gaya hua hai api wife ko dhudne…..”

Commissioner: “To aap kyun nahin gaye uss ke saath mister Dsouza?”

Dsouza: “he did not want me to come but our man is watching him.”

Commissioner ne tasveeron ko ghaur se dekhte hue kaha,

“sach mein bahot hot hai, iss par to koyi bhi aashik ho sakta hai nah mister Dsouza?!”

Dsouza: “hai nah sir? This is what I wanted to hear, thank you very much Sir. I got my answer!”

Aur Dsouza wahan se nikal gaye.

Commissioner uss ko phukaarta raha magar Dsouza ko jo jawaab chahite tha wo usse mil gaya tha. wo dekhna chahta tha ke kia sirf ussko Ruksanah hot lagta tha ya kissi bhi mard usske taraf attract ho sakte the iss liye ussne unn tasveeron ko commissioner ko dikhaya tha, yehi kaam wo Panday se bhi karwa sakta tha magar jab ussne kaha ke wo kissi minister ka rishtedaar hai Dsouza samajh gaya ke wo kissi kaam ka nahin, wahan buss apne monthly salary ke liye baitha hai. Phir bhi Dsouza wapas station pahuncha aur dekhna chaha ke Panday ko Ruksanah keisi lagegi. Panday pics ko ek ek karke dekhe jaa raha tha aur pucha,

“yehi missing hai nah sir?”

Dsouza: “are wah, tum to honshiyaar nikle? Pehchaan liya?!”

Panday: “haan isski passport size photo hai nah file mein!”

Dsouza Panday ko ghaur se dekhte jaa raha tha sochte hue ke kia ussko bhi Ruksanah akarshit karti hai ya nahin..

Aur Panday pics ko baar baar ghurrte jaa raha tha aur Dsouza usske chehre ko padhne ki koshish mein laga hua tha…..

Aur Panday bola….

“Sir, yeh ek mast model ho sakti thi, kia figure hai heroine ka maafik dikhti hai, lagta hai ek model ki pics dekh raha hoon, isski measurement kia hogi sir?”

Dsouza Panday ki baat sunkar khush ho gaya. Yeh teesra aadmi tha jissko Ruksanah itna hot aur sexy lagi. To ab Dsouza sochne laga ke Virendra aur Rocky ko bhi ruksanah hot aur sexy lagi hogi aur zaroor kuch hua hoga unn teenon ke beech, ya at least donon ke beech.!!

To be continued…….. (2125 words)
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 5 Where Did Tariq Go?

Dsouza ne uss constable ko phone karke pucha ke Tariq kidhar gaya hai.

Constable bola,

“Are Sir yeh to ek jangal ka raasta le raha hai, kacha raasta hai main zindagi mein pehle kabhi bhi idhar nahin aya hoon. Bahot hi slow drive kar raha hai, sadak mein ghaass aur pathar, keechar, bhare hue hein mujhe bhi bike chalaane mein takliff ho rahi hai, aur mujhko wo dekh bhi raha hai rearview mirror mein, sochega ke main idhar kahan jaa raha hoon, lagta hai ab follow karna mushkil hoga sir ji!”

Dsouza: “Tum picha karna mat rokna, usske piche badhte jaana, ab to mujhe uss par ziada shak hone laga hai, kahin usski wife ki lash to nahin hein uss jangal mein kahin? Sunon keise bhi karke tum kissi parallel raaste se dekho agar ho sake to chhup chhup kar jao, aur dhire jaa raha hai to tum ruk jao, ussko aage badhne do tab baad mein jana, kar sakte ho ke nahin?”

Constable: “okay Sir haan karta hoon, abhi ruk gaya hoon…”

Dsouza: “are ruk kar mujhse phone par baat kar rahe ho aur tumne kaha wo tumko dekh raha hai nah mirror mein? To abe ullo ke pathe, ussko pata chal jaega ke tum kissi se baat kar rahe ho, ussko dikha kar baat kar rahe ho mobile par? dhat teri ki kia ghonchu log hein iss police thane mein yaar!”

Constable: “main ne uss se peeth kar liya sir!”

Dsouza: “Phir bhi ussko dikh raha hoga ke tumhare kaan se mobile laga hua hai, phone rakh! Aur kahin chhup kar baat karna mujhse, ussko nahin dikhna chahiye jab tum mujhse baat karo to samjhe?!”

Dsouza badbadaane laga khud se, “sala keisa lalloo hai ussko dikha ke mujhse phone par baat kar raha hai, jangal mein itne saare peyd hote hein ek peyd ke piche se nahin baat kar sakta tha…… magar jangal mein jaa kahan raha hai yeh Tariq?”

Dsouza ko Ruksanah ki office jaana tha tehkikaat karne magar ab sochne laga ke abhi Tariq ke baare mein jaanna ziada zaroori hai to kuch der baad phir phone kiya constable ko. Jeise ussne phone uthaya Dsouza ne kaha,

“kissi peyd ke piche chala jaa tab baat karna mujhse!”

Constable: “nahin sir abhi wo door hai, ek mod aya to main bilkool nahin dikh raha hoon usse”

Dsouza: “to sun ek kaam kar, tu ussko overtake karne ki koshish kar, tab ruk kar uss se baat karna…”

Constable: “Are Sir overtake karne ki jagah hi nahin hai yeh kacha sadak hai Sir ek gadi ki chawdaayi ki hai, ek aadmi chal kar bhi nahin jaa sakta overtake karne ke liye jagah hi nahin hai….”

Dsouza: “to tu usske car ke bilkool nazdik jaa, honk kar, ussko rok phir baat kar, kehna ke tu raasta bhatak gaya hai, uss se puchna ke wo raasta kidhar nikalta hai, uss se dosti kar, keh ke tu eise hi jangal mein ghumna pasand karta hai aur pehli baar udhar gaya hai, iss se pata chalega ke wo pehli baar udhar gaya ya uss jagah ko jaanta hai, agar jaanta hoga to tumko raah dikhayega, bataega ke udhar kia hai….. samjha tu?!”

Constable: “okay Sir aap phone mat karo ab main khud aap ko phone karunga.”

Aur Constable lag gaya kaam par. Ussne keise bhi karke apne bike Tariq ke car ke itna karib kiya usske piche ke khud Tariq ussko uss tarah se usske piche aate hue dekh kar car rok diya aur utar ke pucha,

“kia kar rahe ho bhai iss jangal mein aap bike par kahan jaa rahe ho?”

Constable ne haklaate hue bola,

“are sir ji samajh mein nahin ata kidhar jaun, aap ki car ko dekha to piche piche aane laga yeh soch kar ke aap ko raste ka pata hoga to aap ko follow karte hue main kahin pahchunga nah.”

Tariq: “to tum rasta bhatak gaye ho?”

Constable: “haan Sir ek khubsurat chidya ko follow kar raha tha wo udhte hue iss taraf aya to main iss sadak mein chala aya ussko follow karte hue phir pata nahin chidya kidhar chala gaya to door aap ki car dikhi jaate hue to aap ko follow karne laga ab pata nahin keise niklun!”

Tariq: “yeh rasta bandh hai aage, ek bada sa nadi hai, ek chataan ke upar se nadi guzarta hai, bahot khubsurat jagah hai dekhoge?”

Constable: “haan ji kyun nahin?”

Tariq:”to apne bike ko yahin chorr do mere car mein chalo mere saath.”

Constable ne wohi kiya. Bike ko ek peyd ke piche lock kiya aur car mein Tariq ke saath chala gaya. Tariq ne uss se pucha,

“kia karte ho life mein?”

Constable: “watchman hoon Sir”

Tariq: “to aaj watch nahin kar rahe ho?”

Constable ne apne dil mein kaha, ‘watch hi to kar raha hoon aap ko Sir’ phi jawaab diya,

“nahin aaj chhuti hai Sir to thoda ghum raha tha aur chidya dikh gayi!.... Sir, kitna kharaab rasta hai, car kharab ho jaegi eise kache sadak mein drive karne se, aap aksar ate ho kia idhar?”

Tariq: “5 saal baad araha hoon iss taraf, wo jagah bahot pyara hai mujhe, bachpan mein main apne baap ke saath aya tha tab se kayi baar aaya hoon, ek sukoon milta hai wahan, apni wife ke saath aya hoon do baar yahan ussko bhi yeh jagah passand hai….”

Aur koyi aadhe ghante ke slow drive ke baad wo jagah aya jisska zikr Tariq ne kiya tha. Ek bridge tha, uss bridge ke paas car roka aur ab bridge ke niche bade baade pathar the, chataan the, uss ke beech ek nadi behta hua dikh raha tha, aur bridge ke side mein kuch stairs the jiss se niche utra jaa sakta tha to Tariq niche jaane laga constable ko piche aane ka ishara karte hue.

Niche utar kar chataanon par chalte hue, nadi ko cross kiya Tarik ne aur constable ne bhi follow kiya aur wahan se upar bridge ko dekha aur car park kiye hue nazar arahe the niche se…. Tariq aguey badhta gaya jiss taraf nadi behte hue jaa rahe the to constable ne pucha ke kidhar jaa raha hai tab Tariq ne kaha,

“aaguey ek jhadna hai, hum jhadne ke upar hein abhi, jhuk kar jhadne ko dekh sahte hein aao dekhna….”

Jagah kuch khatarnaak dikh raha tha, darr sa lag raha tha. darrte hue constable aaguey badha magar usski himat nahin thi ziada aguey badh kar jhadne ko dekhne ko, ussko oochaayi se chakkar ata tha, magar Tariq chala gaya aakhri kone tak aur chataan ki uss hisse par khada hua jisske niche jhadna girr raha tha, ussi nadi ke paani uss chataan se hokar niche ke taraf girr rahe the aur uss jhadne ki girne ki khatarnaak awaaz se hi jism mein ek darr paida hota tha. wahan khada hokar Tariq ne constable ko paas aane ko kaha magar ussne mana kiya yeh kehte hue ke ussko darr lag raha hai. Aur constable ne kaha,

“Sir aur ziada aguey mat jao sir girr jaoge bahot khatarnak jagah hai, agar wo pathar jiss par khade ho tut gaya to aap niche chale jaoge sahab….”

Tariq ne kaha,

“are pata nahin kitne hazar saalon se yeh chataan eisa hai yahan keise tootega? Niche dekho paani girr girr ke ek bada sa talab jeisa ho gaya hai niche, nadi ke andar ek aur jangal hai, paani ka rang kaala dikhta hai niche ao dekho to….”

Himmat karke constable thoda sa jhaankne gaya aur dekha ke bahot niche ko 300 metres niche tak paani girr raha hai jhadne ki roop mein aur sach mein niche paani kaale rang ka hai bahot gehra hoga wo niche wala taalaab jiss mein girte hue paani jama hue hein. Jiss jagah se constable dekh raha tha ussne to 25% hi dekha. Ussko darr lag raha tha uss jagah se jaakar dekhne ko jahan sse Tariq dekh raha tha. ussne kaha,

“Sir agar maan lo kissi ne aap ko halke se dhaka diya to kia aap bach paoge? Niche girne se pehle hi aap ki maut ho jaegi… nah baba main to eisi jagah par phir kabhi nah aaun life mein!”

Tariq ne kaha,

“Tum ne to mera plan kharab kar diya, main to inn chataanon par ghanton bitata hoon, sota bhi hoon. Bahot araam milta hai yahan, ab tere vajah se mujhe wapas chalna hoga, chal nikalte hein phir.”

Donon waha se nikle, constable ne apna bike liya aur donon apne apne raaste nikle….. constable ne jaldi e Dsouza ko phone kiya

“Sir, wo uss jagah se nikal gaya wapas sheher ke taraf jaa raha hai.”

Dsouza: “tu uss se mila? Kia kiya ussne? kahan gaya tha jangal ke andar?”

Constable ne saari baatein bataaye Dsouza ko. Dsouza ne kaha,

“Tu wahin ruk bilkool nahin hillna main araha hoon mujhe uss jagah ko turant dekhna hai!”

Constable ghabra gaya aur khud se kaha, “sala mujhe uss jagah ke baare mein bolna hi nahin chahiye tha kyun bataya main ne, ab dobara usske saath wahan jana padega ofo mujhe uss darawni jagah phir se nahin jana yaar!!”

Dsouza aya, constable ne phir apni bike ko jangal mein chorra aur Dsouza ki car mein uss nadi ko dikhaane legaya. Nadi mein utarne ke baad Constable ruk gaya aur ishaare se dikhaya Dsouza ko jiss jagah par Tarik khada tha.

Dsouza uss chataan par khada hokar niche ke taraf dekhne laga, uss jagah dekhne laga jahan paani girrte hue jamah hote the, paani ka rang kaala hi dikh raha tha upar se. Dsouza ne apne jeb se doorbin nikala aur niche dekhta raha kaafi der tak…. Aur apna mobile nikala aur kahin call kiya. Constable sun raha tha aur suna Dsouza keh raha tha,

“hello yes send the helicopter squad with divers fully equipped, yes I can see three black dumping bags and I have a doubt they may contain anything, could be a dead body as well!”

Yeh sunkar Constable ke chehre ka rang badal gaya. Aur jab Dsouza ne baat end kiya to Constable dhire dhire chataan ke paas gaya aur niche dekhne ki koshish kiya aur pucha,

“usski patni ki laash hai niche kia sir?”

Dsouza: “thodi der mein pata chal jaega. Agar jawab haan hua to you will get a promotion, I promise you.”

Aur constable ne kaha,

“are tabhi to wo itne der tak niche dekh raha tha, ussko pata hai ke usski patni ki laash niche hai issi liye wo itne der tak wahan eise dekkh raha tha, dhat teri ki mere khopdi mein yeh baat kyun nahin aayi. Matlab ussi ne mara apne wife ko nah Sir, aur idhar laakar feink diya?!”

Dsouza: “bahot jald pata chal jaega, abhi divers ko niche utarne do, unn plastic bags ko baahar nikalne do tab nah pata chalega, aur agar uss mein usski wife ki laash nikle to ussko hatkadi mein tumhare haathon se pehenwaunga!
***************************************************

Koyi ek gante baad helicopter uss jhadne ke upar udh raha tha aur helicopter se commandos type kaale uniform mein divers mask pehne peeth par gas our oxygen kit baandhe, ek wire se niche uss kale paani mein utar rahe the. Jagah mushkil tha helicopter ko ziada niche jaane ke liye kyun ke khud uss jhadne mein ek aur jangal jeisa tha, bahot saare bade bade peyd vaghaira the….

Upar se Dsouza apne doorbin se niche dekh raha tha. Gotaakhor ke leader upar helicopter mein apne chief se baat kar raha tha Bluetooth ke through. Aur wo chief Dsouza se connected tha baat karte hue. Niche ke chief gotaakhor ne upar chief se kaha ke teen dumping bags hein aur teenon mein kate hue laash ke tukde hein. Yeh baat Dsouza ko uss chief ne bataya to Dsouza ne teenon bags ko upar laane ki order diye.

Rassi mein teenon bags ko baandha gaya aur upar khincha gaya, uss chataan par rakha gaya teenon bags ko.

Tab tak Panday bhi agaya tha uss chataan ke paas kuch aur thaane ke police walon ke saath.

Helicopter ka kaam pura hua to wo wapas chala gaya.

Dsouza ne apne naak par apne rumal dabaate hue Pande ko unn 3 kaale kachre wale bags mein se ek ko kholne ko kaha. Panday ne jeise pehli bag ko khola wo wahin behosh girr pada!

Dsouza ussko gaali dete hue, khud bag ko ziada khola aur ussko uss mein ek aurat ki chaati se sar tak ka hissa dikha, aur uss khubsurat jagah mein badbhu feyl gaye. Phir dusre aur teesre bag ko khola gaya, to dusre bag mein chaati se lekar taangon tak ka hissa tha, aur teesre bag mein taangein the.

Last do bags ke andar paani nahin ghusse the kyunke wo achi tarah se bandhe hue the magar pehli bag ke andar paani aur choti choti machliyan bhi mile jiss ne laash ki gosht ko noch liya tha kayi jagaon par aur hadiyan dikh rahe the, baaki ke bags mein lash ki chamri jeise dhanss gaye the aur gosht galne lage the jiss se bahot badhbhu aa rahe the.

Dsouza ne uniform dekh kar pehchaan liya ke wo Ruksanah ka hi laash tha jo pichle do mahinon se wahan para hua tha.
****************************************************

Postmortem ke liye hospital mein laash ki moaena kiya jaa raha tha aur Dsouza bhi haazir tha sabhi doctaron ke beech kyunke ussko sab ata tha, ussne pehle bhi kayi laashon ke postmortem kiye hue the.

Commisoner sahab ne Dsouza ke kehne par Tariq ko dusre police Inspector dwara giraftaar karwaya. Haath mein hatkadi, Tariq ko hospital laya gaya apni biwi ki laash ko pehchaanne ke liye, postmortem shuru hone se pehle Tariq ko Dsouza hi andar legaya, aur ruksana ke ungli se usski anguthi, usske kalaayi se usski ghadi, usski mobile, handbag sab Tariq ko dikhaya, aur tariq ne qubul kiya ke laash usski wife ki hi thi, aur koyi ho hi nahin sakta tha, magar Tariq ne sisakte hue kaha ke ussne nahin mara apni biwi ko.
***************************************************

Postmortem ke baad, police station mein jahan ki cell mein tariq bandh tha, Dsouza baat kar rahe the commissioner sahab ke sath.

Dsouza: “nahin Sir, yeh katal Tariq ne nahin kiya hai mujhe pakka yakeen hai.”

Commissioner: “Dsouza sahab yeh keise keh sakte ho aap? Yeh to saaf zaahir hai ke ussi ne kiya hai varna wo wahan kia karne jaata? Uss jagah ko kaun jaanta hai? Main khud aaj pehli baar uss jagah par gaya hoon mujhe to pata bhi nahin tha uss jagah ke baare mein, yeh keise wahan pahunch gaya thik jahan usski wife ki laash the?!”

Dsouza: “puch taaj ke baad pata chala ke wo bachpan se apne pita ke sath wahan jaya karta tha, aur baad mein apne wife ke saath bhi gaya hai kayi baar. Yeh pura itefaaq bhi ho sakta hai ke wo wahan pahuncha tha sukoon paane ke liye ya yun samajhiye ke ek shakti thi jo ussko wahan legaya tha, issko aap koyi bhi naam de dijiye, eisa hota hai, marne wale apnon ko apne taraf khinchta hai, Ruksanah ki rooh legaya tha Tariq ko uss jagah, iss bahane humko pata chala aur laash mili, laash ne khud humko apne taraf bulaya tha….. marne wale marne ke baad bhi ishara karta hai sahab main ne eise bahot saare cases dekhe hein….”

Commissioner: “okay to phir kia kiya jaaye tariq ke saath?”

Dsouza: “wo bekasoor hai, mujhe yakeen hai, weise abhi tak hamare paas koyi proof nahin hai ke khoon ussne kiya hai, ek bhi saboot nahin, laash mil jaane se yeh to prove nahin hota ke khoon kiss ne kiya, kissi ne ussko khoon karte hue nahin dekha hai…. Mujhe aur kuch waqt chahiye iss case ko anjaam dene mein aur main dekar rahunga aap befikr rehye, filhaal tariq ko azaad kar dete hein…. Ruksana ki body se semen mili hai kissi mard ki, she had sexual relationship before she was killed, uss se to pata chal jaega ke wo semen tariq ki hai ya kissi aur ki… aur phir mujhe kuch aur chaan bin karni baaki hai abhi…. iss mein kuch aur log involved hein jisske baare mein khud Tariq nahin jaanta.”

Commissioner: “rape hui thi kia usski?”

Dsouza: “complete forensic results abhi nahin aaye hein she was sodomised also, but consensual laga, haan thoda bahot chhina jhapti ke signs bhi dikhe hein mere khayal se ek se ziada aadmi ke saath thi marne se pehle, yeh ek aadmi ka kiya hua kaam nahin hai, her body has been cut with an electric grinder, then put into the bags, there must have been other people holding the bags and another person putting the body parts into the bags…. Khoon phukaar phukaar kar kehta hai sir…. Mujhe khoon ki traces talaash karni hai, kahan hua hai yeh murder, ek katra khoon ka to kahin gira hoga mujhe wahan tak pahunchna hai”

To be continued………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 6 Advance Search

Dsouza ne forensic walon ko assist kiya sabhi jism se mile purzon ko examine karne mein. Bahot kuch pata chala sabko examine karne ke baad, jo waqt ane par bataya jaega, filhaal yeh jaan lena hai ke Ruksanah ko mara pehle gaya tha aur usski jism ko kata gaya usske marne ke baad taake asaani se usski jism ko lejaya jaa sake. Iss se Dsouza ke samajh mein agaya ke khoon kahin aur kiya gaya tha, jism ko kahin aur kata gaya, agar ussko sirf uss jagah ka pata chal jaata to sab clear ho jata kyun ke uss jagah par bahot khoon bahe honge. Aur khoon ko saaf karne mein saalon lag jaate hein kahin ek katra bach jata hai aur uss ek katre se mujrim ko pakra jaa sakta hai. Aur ek baat ka pata chala examination ke baad ke Ruksanah sexually active thi pichle 6 mahinon se har roz sexual activities hue the aur sodomise bhi hoti thi aksar, matlab wahan bhi active thi, aur pata yeh bhi chala ke 24 hours mein kayi baar sexual activities hoti this usske saath. Isska pata sirf tariq se chal sakta hai Dsouza ne socha aur tab pata chal jaega ke Ruksanah sirf apne pati ke sath sexually involved thi ya aur bhi log the.

Dsouza do din baad Tariq se milne gaya usske ghar phir se.

Milne ke baad Tariq baat karte hue rone laga ke usski Ruksana bahot komal thi ek choti si chiz agar usski jism par lage to ussko choat ati thi, wo dard sehen nahin kar paati thi, aur kiss behrehmi se usske jism ke tukde kiye gaye, yeh bol bol kar tariq bahot ro pada.

Dsouza ne usske dard ko kum kiya ussko yeh bataate hue ke usske marne ke baad usski jism ko kata gaya tha, matlab wo Pehle se mar chuki thi jiss wqt usske jism ko kata gaya.

Tariq ne tab pucha ke keise mara tha? Usski maut keise aur kab hui thi? Time kia hua tha?

Dsouza ne kaha,

“humko sab pata hai, din, tarikh, exact waqt bhi pata hai usski death ki, magar hum abhi aap ko nahin batayenge. Abhi ke liye hum issko secret rakh rahe hein taake investigation mein koyi baadhaa nah pade. Kaatil ka pata chalne ke baad sab kuch saamne ajaega tab aap ko sab kuch detail mein bataya jaega. Abhi to aap bhi kaatilon ke list mein shaamil ho iss liye yeh baat aap ko nahin bataya jaa sakta. Mujhe yakeen hai ke aap ne apni biwi ka khoon nahin kiya magar ek protocol hai humko usse bhi follow karna hai, uss protocol ke hisaab se aap sirf iss liye kaatilon ke list mein aate ho kyunke aap akele uss jagah maujood the jahan se Ruksanah ki laash baramat hue.”

Tariq: “main samajh sakta hoon aap kia kehna chahte ho Sir, magar mere dimaagh se sochiye aap, Ruksanah ne mujhe wahan bulaya tha, iss liye meri rooh mujhe wahan legaya. Sochiye ek eisi jagah jahan main pichle 5/6 saalon se nahin gaya, kyun achanak main uss jagah ke liye nikal gaya? Yaad hai aap ko uss din aap yahin mujhse baat kar rahe the to main ne aap se kaha ke mujhe ek jagah jana hai Ruksanah ko dhundne ke liye? Pata nahi kyun mere dimaagh mein wo baat aayi ke wahan jaana chahiye mujhe aur mujhe wahan wo milegi. Laash to nahin socha tha mere nazron ke saamne jeise wo dikhi thi unn chataanon par mere liye pose dete hue aur main usski photo le raha tha uss roz!”

Dsouza: “sach hai marne wale apna thikana khud dikhata hai apnon ko. Wo sach mein aap ko wahan bula rahi thi aur kudrat ka khel dekhiye humne aap ke piche ek constable lagaya hua tha jiss ne humko uss jagah ka pata bataya aur hum wahan gaye aur main ne doorbin se niche dekha tab pata chala, ke eisi jagah par dumping bags kaun laakar feinkega, varna kabhi kissi ko bhi pata nahin chalta ke laash wahan hai. Wahan koyi bhi insaan utar hi nahin sakta…. Laash zindagi bhar nahin milte humko agar aap wahan nahin gaye hote.!”

Tariq ne pucha,

“Sir itna to bata dijiye kia meri Ruksanah ko maara, peeta gaya tha marne se pehle? Kia ussko choat aayi thi? Ussko dard hua tha? wo royi thi? Ussne mujhko phukara hoga Sir! Ussne uss waqt mujhko yaad kiya hoga Sir? Main usski awaaz nahin sun saka sir? Kitna abhaga hoon main ke main yahin tha aur usske paas nahin jaa saka!”

Dsouza: “Tariq sahab aap mujhe yeh bataiye, aap ki aur Ruksanah ki sexual life keise the? Yeh sawaal bahot zaroori hai iss liye puch raha hoon, investigation ke liye behad zaroori hai yeh jaanna!”

Tariq ne bataya ke sab normal tha sirf ussko bacha hona mushkil tha phir bhi doctors ne kaha hua hai ke kabhi bhi achanak bacha reh sakta hai usski coak mein “to hum sexually active the Sir.”

Dsouza ne pucha,

“Pichle 6 mahinon mein kia har raat sex karte the aap donon? Aur kia din mein active hote the sexually aap?”

Tariq: “har raat to nahin Sir, but hum regular the, haan weekends mein kabhi din mein ho jata tha, wo thi hi itni sexy sir ke kahin bhi hota to din ho ya raat uss se sex karte….”

Dsouza: “kia wo demanding thi sex ko lekar? Kia aap har baar propose karte the ya wo chahti thi?!”

Dono taraf se hota tha sir kabhi main usske taraf badhta to kabhi wo khud aati mere paas, magar sir iss sawaal ka kia kaam inn sab mein?!”

Dsouza: “zaroori hai mister Tariq, zaroori hai…”

Tariq ne tab Dsouza ke nazron se nazrein milaate hue pucha,

“kahin usski rape to nahin hui thi sir?”

Dsouza ne tab Tariq ke chehre mein dekhte hue pucha,

“kia aap ke khayal se koyi tha eisa jo usski rape kar sake?!”

Tariq: “nahin bilkool bhi nahin”

Dsouza: “to phir mera jawaab yeh hai ke nahin usska rape to nahin hua tha bilkool. Magar Tariq sahab humko aap ki sperm ki sample chahiye the. Kia aap humko wo de sakte ho?”

Tariq ne phir heyraani se Dsouza ke chehre mein dekhte hue pucha,

“ab wo kyun chahiye aap ko sir?”

Dsouza: “are bhai chahiye tabhi to mang rahe hein, aap kal ya abhi hi hospital chaliye mere saath humko ek sample chahiye….”

Tariq: “thik hai sir kal de dunga!”

Dsouza ne tab kaha,

“Ab aap mujhe uss raat ki baat bataiye jiss din aap ke do dost aaye hue the USA jaane se pehle, uss din aap ne puri baat nahin bataaye the mujhe.”

Tariq ne ek gehri saans lete hue pucha,

“Iss waqt, iss haalaat mein, wo sab abhi batana zaroori hai kia sir?”

Dsouza:”thik hai phir kabi sahi, koyi baat nahin, acha to aap araam karein main kissi aur kaam mein lagta hoon phir.”

********************************************************

Dsouza Ruksanah ki office pahuncha Panday ke saath. Wahan ke managers, supervisors, assistants sabse milkar bahot saare batein kiye, Anjali se bhi mile jo uss waqt kaam par thi, uss se uss jagah ka pata lagaya jahan Ruksanah baithti thi aur akhir mein cctv ki recordings mangwaaye Dsouza ne uss din ki jab 12 baje Ruksanah office se nikli thi.

Last camera office ke saamne road ki view de rahe the jahan ruksana peeth se dikhaayi diye building ki gate se baahar nikalte hue. Aur ussne apne bag se mobile nikala aur call kiya nahin; call receive kiya. Din ke 12.35 hue the uss waqt.Wo dekhte hue Dsouza ne Panday se pucha, “usski call details aaye ke nahin abhi tak?”

Panday ne kaha, “nahin sir!” daant pesste hue Dsouza wapas video ki recording dekhne lage…. Bus phir wahan se Ruksanah right ke taraf chalti gayi aur usske baad covearege nahin the….. Dsouza ne apne pendrive mein uss recording ki ek copy bana kar rakh liye apne paas aur road par nikle jiss jagah Ruksanaha last dikhi thi. Uss jagah khade hokar Dsouza right ke taraf ke har building ke upar check karne laga jiss mein cctv camera dikhe. Sab mein camera the to ek ek karke Dsouza sabhi building ke andar gaye aur video recording ki coverage ki maang kiye uss date ki aur uss time ki. Aur do videos mein ruksanah dikhe chalte jaate hue, call attend karte hue, matlab apni cell par baat karte hue chal rahi thi pavement par. Baat hansste hue kar rahi thi, jisska matlab hua ke jiss se bhi uss waqt baat kar rahi thi wo usski jaan pechaan wale the, aur shaayad ussi se milne bhi ja rahe the.

Magar baaki ke buildings ke videos mein ruksanah bilkool nahin dikhe, kab gayi keise gayi, taxi se gayi, ya kissi ne ussko road se pick up kiya isska bilkool khabar nahin tha.

To ab Dsouza ke paas ek hi raasta tha, ussko pata karna tha ke kiss se phone par uss waqt baat kar rahi thi. Dsouza ne telcomunications walon par dabaav dala ke turant usski call details chahiye….

Ek ghante baad saare details aagaye. Dsouza baith kar uss din ki aur uss waqt ki call details dekh rahe the, 12.35 ko call aya tha ruksanah ki cell phone par aur 12 mins tak baat hui thi, uss taraf ke caller ka number ek boot se kiya gaya tha!! Dsouza ne ghusse mein ek zor ka ghunssa mara mez par jab dekha ke boot se call kiya gaya tha…. khud badbadaane laga,

“aaj ki zamaane mein jab sab ke paas ek cell phone hai to kiss chutiye ne boot se call kiya tha….”

Phir khud se Dsouza ne kaha,

“Isska matlab yeh hua ke caller ko pata tha ke agar cell se phone karega to hum ussko trace kar lenge, matlab caller ko pata tha ke wo Ruksanah ko maarne wala hai…it was a premeditated murder!! Nahin magar eisa bhi ho sakta hai ke iss liye boot se call karta tha ye caller taake usska cell number Ruksanah ki mobile par naa aaye aur Tariq kabhi nah dekh paaye, precautionary measure ho sakta hai….”

Ab pata lagana hai yeh boot kiss area ki hai, yahan se kitni doorie par paaya jata hai… kaash uss caller ki awaaz record hui hoti”

Search karne ke baad pata chala wo public phone yahan se 5 kilometres ki doori par ek bus stop ke paas tha. Ab uss area mein ruksanah ki koyi rishtedaar, friend, Saheli koyi bhi nahin tha record mein Dsouza ke paas. To kaun ussko udhar se call kiya tha jiss se Ruksanah itna hansskar Khushi se baat karti jaa rahi thi…ussi se milne gayi hogi nah?!”

Dsouza ne Tariq ko call karke pucha kia uss area mein koyi jaan pehchaan wala hai jiss area mein wo phone boot tha. Jawaab nah mein aya Tariq ke taraf se. Tab Dsouza ne Tariq ke sasur ki address ko check kiya, wo yahan se 7 kms ki doorie par tha magar ulte side mein tha uss boot se. boot east mein tha aur Ruksana ki dad ki residence west mein tha….. Dsouza ne ab Ruksanah ke pita se milne ka faisla kiya halaan ke usska iss murder se koyi bhi lena dena nahin tha magar eise hi general jaankaari ke liye Dsouza unnse milkar kuch baat karna chahte the.

Jab Dsouza police station se nikle to apni car ko dekha ke kitna ganda tha, uss kache keechar wale jangal ke raaste se guzarne ke baat car bahot maile ho gaye the tyre se lekar windshield, side mein aaguey aur piche chaaron taraf car maile the. Dsouza ne socha car wash ke yahan jaa kar ek wash dein apni car ko tab Ruksanah ke pita se milne jaaye.

Car wash station par aaye aur bahar nikle car se to usske dimaagh mein ek baat aayi car ki tyres ko dekhte hue… ussne dekha ke usske car ki rear mudguard mein ek kissam ke ghanss faansse hue hein aur kuch pattiyan bhi hein…. Aur tyre mein keechar kuch iss tarah se lage hue hein jeise chocolate ki tablet.

Dsouza tyre ke paas baitha, apne jeb se ek plastic bag nikala jiss mein samples liya jata hai aur ek knife se unn keechad ke kuch samples dala plastic bag mein aur hand glove se unn ghaanss aur patiyon ko bhi le liya samples ki tarah….. yeh uss ne kyun kiya waqt aane par pata chalega….

Dsouza Tariq ke sasur ke ghar pahunche. Ek takriban 55 saal ka aadmi, jo souza ke hi umar ke lag rahe the, saamne aya aur Dsouza ko receive karte hue ghar ke andar aane ki daawat diye.

Dsouza ne khud ko introduce kiya aur samjha diya usske visit ka reason kia tha. Ruksanah ke pita apni Ruksanah ke baare mein baat karte hue ro pade.

“mere jigar ka tukda tha wo janaab. Meri ek hi aulaad thi, wo bhi khuda ko pyari ho gayi. Mujhe to akelapan ki aadat si ho hi chuki hai, gham hai to bechare Tariq ki, iss jawani mein bechara keise sambhaalta hoga khud ko, meri jaan chali gayi sahab, meri Ruksanah meri jaan se badhkar thi!”

Yeh sab kuch sisakte hue kaha Ruksanah ke pita ne. Dsouza usske kaandhe par apna haath thapthapaate hue ussko dilasha dene ki koshish karte hue kaha,

“buss ziada kuch nahin ekaat sawaal karni thi aap se huzoor, buss aap madad kar dein to humko katil ka pata lagaane mein asaani hogi.”

Pita: “beshak madad karunga, main unn kutton ko jald se jald pakarna chahta hoon, unnke gaand par itna laat marunga ke hagna bhool jayenge!”

Dsouza: “aap ki beti aksar aap ke yahan aati thi, rehti thi?”

Pita: “haan sahab le de kar buss ek main hi to bacha hoon usske liye, usski maa 7 saal pehle chal bassi, main akela ho gaya tabse bahot ziada aane lagi kyunke ussko samajh mein agaya ke main kitna akela ho gaya hoon, mera bahot khayal tha usse sahab. Jab usski maa guzri thi to ek mahie tak yahin rahi thi mere saath. Tariq mall se seedha yahn ajata tha, magar kissi din apne ghar chala jata tha. Ruksanah ek mahine tak mere saath rahi sahab, ek mahine baad jaane lagi to mujhe laga dusri baar ussko bida kar raha hoon…..”

Yeh kehkar pita phir rone lage…..

To be continued……
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 7 Dsouza moves on

Ruksanah ke pita se baat karke kuch haasil nahin hua Dsouza ko aur khaali haath lauta wahan se phir forensic lab mein gaya apne car se liye hue ghaanss aur kichar ko examine karne.

Microscope se uss ghaanss aur patton ko examine kiya phir kichar ko examine karte waqt kuch kide, makore, jivaanu, ko note kiya keechad mein jo jiwit the.

Phir Dsouza ne uss ilaake ke sabse popular biologist ko bulwaya aur apne li hui samples ko examine karwaya aur usski raaye pucha.

Aur yeh sab iss liye kar raha tha Dsouza kyunke usski career mein kayi baar eise cases aaye the jahan kide makode ki madad se cases solve hue the.

Kide makore, jivaanu, har jagah same nahin hote. South ke kide makode jo kichad ya ghaanss, patiyon mein hote hein wo kide makode north ke ilaaake mein nahin hote, wahan dusre kissam ke kide makode hote hein, weise hi ghaanss, phool, pawde par paaye jaane wale kide makode har ilaake mein alag hote hein. Unnke behaviour alag hote hein unnke chalne firne ke tarike alag hote hein, west ke kide makode aur east ke kide makode central ke kide makode se different hote hein. Aur oonche ilaakon ke kide makode aur bhi alag hote hein.

Dunya bhar ke har muktaliff hisson ke kide makode sab alag hote hein, zameen par alag to samundar mein bhi alag alag hisson mein alag tarah ki kide makode hote hein. Sirf ek kide makode se kitne saare cases ko suljhaya gaya hai dunya mein. Yeh kudrat ka Karishma hai, kudrat ne dunya bhar mein sab kuch alag banaya hai dharti ke har kone kone par. Jeise ke har insaan ke finger prints alag hote hein ussi tarah dunya ke mukhtaliff jagahon par kidhe makode fingerprints ki tarah bilkool alag hote hein.

Agar ek khooni ne south region mein ek khoon kiya aur jo joota ussne wahan pehna hua tha khoon karte waqt, aur ab north ka rehne wala hai to uss joote ke heel se usske kidon makodon se pata chal jaega ke wo kiss waqt north mein tha aur kab south mein wapas aya! Exact waqt ka pata chal sakta hai unn kidon makodon ke zarye. Insaan ko nahin pata ke kudrat ne chaaron taraf apna fingerprints banaya hua hai aur wo fingerprints insaan ke jism ke kissi bhi kone mein mil sakta hai.

Ek baar ek kaatil pakda iss liye gaya tha kyunke usske kapde mein ek kissam ka chhota sa, jo aankh se nahin dikhaayi dete the, kanta laga hua mila tha jo kissi mukhtaliff jagah par paaya jata hai. Biologist ne comfirm kiya tha ke usske kapde par mila hua kaanta uss jagah ka tha jahan se laash uthaaye gaye the. Sirf ek pawdhe ki kaante ki wajah se kaatil pakra gaya tha, kaatil ko khud nahin pata tha katl karte waqt usske kapde mein uss jagah ek pawdhe ka kaanta usske kapde mein reh gaya tha. Forensic walon ne jab usske kapde ko examin kiya to microscope se wo chota sa kaanta mila tha jo enkhon se nazar tak nahin arahe the.

Khoon karne wala aksar yeh sochta hai ke koyi usse nahin dekh raha jab wo khoon kar raha hota hai, magar kudrat ussko chaaron taraf se dekhta hai uss waqt aur kudrat khud apna kaam karta hai ussko pakarwaane ke liye.

Laakhon eise murder cases hue hein jo 50/70 saal purana hein aur aaj ki taarikh mein unn cases ko solve kiya gaya hai naye technology ke zarye, forensic department bahot aaguey badh chuke hein aur kissi bhi kaatil ko pakra jaa sakta hai kudrat ki help se aaj. Jeise ke DNA nahin hua karta tha 50 saal pehle, uss zamaane mein sirf finger prints aur blood samples se talaash kiya jaata tha sab kuch magar ab unhi puraane cases ko jab khoon ki DNA se talaash kiya jata hai to aaj unn puraane cases ko solve kiya jaa raha hai. DNA khud ek khoon ki fingerprints hota hai jo har ek vyakti ka alag hota hai. Jeise fingerprints alag hote hein sabke, weise hi DNA bhi sabke alag hote hein. Khoon ki fingerprints DNA hota hai.

To Dsouza ne uss jagah ki kichad aur ghaanss ko iss liye uthaya aur sample nikala taake agar ussko kissi par shak ho to wo uss shaks ke joote aur car ya bike ke tyre mein bhi dhund sake.Yeh usske liye bahot zaroori samaan tha investigation ko aaguey badhaane ke liye.

Biologist ne Dsouza ko apna result de diya aur samjha diya ke iss ilaake ki hi kide makode the kichad aur ghaanss mein kissi aur ilaake ka nahin tha, uss ghaanss mein chote chote phool bhi khile hue the aur kuch dane bhi paaye gaye the jo aankhon se dekhna namumkin tha, koyi uss jagah agar chal kar gaya hoga to usske joote aur pant ke niche wale hisson par wo ghanss ke phool zaroor lage honge biologist ne kaha, to turant Dsouza ne apna pant utara aur niche wale hisse ko examine karne ko kaha, aur result turant yeh aya ke Dsouza ke pant mein uss ghaanss ke phool laakhon ki taadaad mein lage hue the magar jo aankhon se bilkool nahin dikh rahe the!

Dsouza ne zor se kaha,

“WWWWWWOOOOOOWWWWWW! What a miracle nature we have around us!!”

Kudrat hamaare chaaron taraf chote chote nishaan chorr jaate hein jo hamaare aankhon se nahin dikhta hamein.

Iss liye kuch pahunche hue murderers apne uss libaas ko turant jala dete hein khoon karne ke baad taake unnke kapdon se koyi nishaan nah mile.
*********************************************************

Wahan se shaam ko dobara Dsouza Ruksanah ke pita ke ghar gaye. Ussko kuch aur baatein yaad aye puchne ke liye.

Dsouza: “Sir ji aap mujhko thoda Ruksanah ke baare mein aur batao. Jaanna yeh hai mujhe ke kia Tariq se shaadi se pehle kia Ruksanah ki koyi boyfriend hua karta tha? koyi tha jo ussko chahta tha aur nah milne par uss se ghussa ho ya eisa kuch?”

Pita: “haan tha ek ladka, jo Ruksana se pyar karta tha ya karne ki dhong karta tha, magar wo kyun Ruksanah ko maarna chahega, ussne to khud Ruksanah ko chorra tha kissi mem ke liye, ek Canadian se shaadi kiya ussne aur wo to Canada mein rehta hai pichle 12 saalon se!”

Dsouza:”Tariq ko pata tha uss ladke ke baare mein?”

Pita: “haan pata hai ussko. Wo ladka Tariq se pehle aya tha Ruk ki zindagi mein phir chala bhi gaya sirf 3 mahinon tak tha Ruk ke saath aur break up ho gaya. Phir jab tariq se mili to Ruk ne ussko sab bata diya tha usske baare mein. Wo sab purani batein hein sahab uss se koyi lena dena hai hi nahin!”

Dsouza: “haan shayad aap sahi keh rahe ho agar wo pichle 12 saalon se Canada mein hai to isske baare mein sochna bhi bewakoofi hogi!”

Dsouza: “Acha to phir janaab kuch aur puchta hoon mujhe isska sahi jawab chahiye yeh investigation ke liye zaroori hai, aap mujhe yeh bataiye ke shaadi ke baad kia Ruksanah ki life mein koyi aur aaye? Mera matlab hai jeise ladke dost log jinnko aap bhi jaante ho?!”

Pita: “ab Ruksanah to rahi nahin to bataane se kia darr, agar wo zinda hoti to main aap ko kuch nahin batata. Ab aap eise sawaal ek baap se kar rahe ho, mujhe jawaab dene mein ajeeb lag raha hai magar aap ko tehkikaat ke liye zaroori hai to lo sunon – dekho sahab main ne Ruksanah ko full freedom diya tha, aaj ki zamaane ki ladki thi, padhi likhi thi graduate thi, to koyi paabandi nahin thi uss par freedom full mili thi usse, apni tarike se zindagi jeene ke liye. Wo modern thi. Ziada dhaarmik nahin thi, zindagi ki lutf o maza lekar jeeti thi. Nah main ne, nah usski maa ne kabhi toka ussko, sahi ghalat ki pehchaan thi ussko, intelligent thi, honshiyaar bachi thi meri……”

Dsouza ne apne peshaani par shikanjh late hue kaha,

“iss mein koyi shak nahin ke intelligent thi usski office se hi pata chala mujhko, haan to aap bataane wale the kissi aur ladke ya mard ke baare mein?”

Pita: “Haan to usski office ka wo Tyagi sahab hai nah? uss se badi acchi dosti thi Ruksanah ki, kayi baar ussi ke car mein ghar aayi hai mere yahan, jiss din ko mere yahan office se aati thi to Tyagi ussko chorrne ata tha hamesha. Tyagi ko mujhse bhi milwaya hai Ruk ne, kayi baar tyagi ghar mein aya hai coffee ya chai peene Ruk ko drop karne ke baad. Donon close the same office mein kaam karte the nah, aur Tyagi ke niche kaam karti thi nah Ruksanah.”

Dsouza ne yaad kiya ke office mein jab gaya tha inquiry karne to kissi ne bhi koyi Tyagi ka naam nahin liya tha. Sochne laga kyun? Aur Ruk ke pita se pucha,

“Aur Tariq ko pata tha iss Tyagi ke baare mein ke wo Ruksanah ko aap ke ghar drop karne ata tha, chai bhi pine ata tha?”

Pita:”nahin shuru main Ruksanaha nahin batana chahti thi, magar baad mein bata diya ke usska boss hai tyagi to issi raaste se ghar jata hai iss liye jab jab mere ghar ana hota tha to ussi ke saath chali aati thi.”

Dsouza: “To Tariq ko iss mein koyi problem nahin thi ke Ruksanah kissi aur ke saath car mein safar kare!”

Pita:”Donon shauhar biwi modern hein sahab, mere zamaane mein hote to hargiz apni wife ko kissi aur ke saath safar nahin karne dete, magar aaj ke logon ko utna parwah nahin hota, ab Tariq ke khud ke dost hein jo ruksanah ke bhi bade ache dost ho gaye hein wo kia naam hai usska….errrrr…..

Ddsouza ne yaad dilaya – Virendra?

Pita: “haan wohi aur ek hai Rocky, donon to Tariq ke saathi hein magar jab donon ko ruksanah ke saath dekhoge to lagta hai ke donon Ruksana ke saathi hein Tariq ke nahin.”

Dsouza: “wo donon kabhi aaye hein aap ke ghar?”

Pita: “haan huzoor bilkool aaye hein, Tariq ke saath aaye hein jab wo aata tha Ruksanah ko wapas lene to donon kabhi saath aate the dinner ek saath karte charon aur wapas bhi saath jaate the.”

Dsouza: “kabhi eisa hua ke Tariq ke baghair donon mein se koyi ek ya donon ek saath ruksanah se yahan milne aaye ho?!”

Pita: “haan ekaat baar eisa bhi hua hai. Ab jeise aakhri baar Ruksana ne half day liya tha ussi tarah ek roz mere yahan ana tha aur half day leave liya tha to uss din Virendra ke car mein aayi thi yahan.”

Dsouza: “Virendra ki car hein? Aur Rocky ka bhi hoga?!”

Pita: “Rocky ka pata nahin magar Virendra ka hai, ek laal car hai shayad Toyota hai. Haan wohi hai.”

Dsouza ko pata nahin tha ke Virendra ki car hai, yeh socha hi nahin tha ussne, khayal hi nahin kiya tha aur ab sochne laga ke agar Virendra iss waqt USA mein hai to usski car ya to ghar par garage mein hogi ya, kissi ko diya hoga, ya garage mein ya airpot ki special parking lot par jahan payment ke through car rakha jata hai.

Dsouza ne turant jaakar check karna chaha, to ruksanah ke pita se ijazat liye uss se kehte hue ke wapas ayega uss se baat karne abhi ussko ek zaroori kaam ke liye jana hai…. Aur Dsouza nikal gaya, turant tezi se police station pahuncha, Panday aur ekaat police ko apne saath liya aur Virendra ki address manga Tariq ko phone karke aur pahunch gaya Virendra ke ghar.

Virendra ka ghar lock tha magar ek maali tha garden mein. Uss se baat kiya to garage ki chabhi diya ussne aur Virendra ki laal Toyota garage ke andar mila. Dsouza ka dil zoron se dhadakne laga aur wo dil hi dil mein pray karne laga ke ussko wo mil jaaye jisska usse talaash hai….. car ki chabi manga maali se aur usska jawaab aya ke usske paas nahin hai Virendra ne ussko car ki chabhi nahin diya tha. Yeh Dsouza ke liye ek problem nahin thi, usske paas sabhi tala kholne wala all in one keys ka set tha, ussne asaani se car khol liya, usska pehla nishana car ki dikki tha, dikki khola Luminol chirrka aur chand seconds wait kiya, ussko yeh aasra tha ke uss car mein Virendra ne body carry kiya hoga to khoon ke katre milenge…. Magar kuch nahin mila…. Phir Dsouza ne car ki tyre check kiya ke kahin kuch kichad ya ghaans vagaira milta magar car to new condition mein bilkool saaf tha ek dhool bhi nazar nahin araha tha….

Panday ne bola,

“Sir gustaakhi maaf, magar Virendra Ruksanah ki khoon hone se ek din pehle desh chorr gaye the”

Dsouza ne apna sar jhatakte hue Panday ko dekha aur kaha,

“aaj pehli baar tumne mere se behtar aur tez socha! – pata nahin kyun mere dimagh se yeh baat nikal gayi thi ke wo ek din pehle country chorr gaya tha….. hmmmm magar…. Magar…. Agar kissi tarah se wo nahin gaya tha uss din ko to? Agar ek din baad gaya ho to??!! Ab uss din ke departures check karne honge…..”

Dsouza ne Tariq ko phir call kiya aur uss se pucha ke kia wo Virendra ko airport see off karne gaya tha? jawaab aya ke nahin gaya tha. To Dsouza ne pucha kiss airport se rawana hua tha wo, jawaab aya ke nahin pata.

Wapas police station se internet se airport ki passengers list check kiya uss din ka Dsouza ne aur pata chala ke Virendra ek din pehle hi plane mein board kiya tha! matlab who kaatil ho hi nahin sakta tha….. Dsouza ko laga ke usske haath se ek lottery nikal gayi….ussko badi umeed thi ke wo manzil ke karib tha, ussko laga ussko saboot mil jayega ke Virendra ne jaane se pehle Ruksanah ki katl karke tab rawana hua tha…. Dsouza yeh bhi soch raha tha ke Rocky bhi usske saath tha aur murder karne ke baad donon apne apne manzil ko nikal gaye the. Dsouza ne feel kiya ke wo abhi abhi ek match haara tha aur ek lambi saans lene ke baad kaha,

“are Panday ek garma garam chai pilwao yaar!”

To be continued……
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 8 Dsouza moved a pace ahead

Dsouza thoda hataash gaya tha magar yeh pehli baar eisa nahin hua tha usske carrier mein, kayi baar eisa hua ke kinaare ke bahot karib aakar naiya dooba hai usska. Ussko aadat hai inn sabhi situations ke, magar wo kissi bhi kimat mar apna manzil tak zaroor pahunchta hai. Aur ussko yakeen tha ke wo katil ka pata laga kar rahega. Ab wo Ruksanah ki jism mein paaye gaye semen par ghaur karne laga tha, wo Tariq ke sperm ka result paana chahta tha. Tariq ne usske kehne par apna sperm de diya tha hospital mein aur wo sperm agaya tha forensic laboratory mein aur Dsouza wahan pahuncha jaanch karne ke liye.

Microspcope dwara isska bhi match karana bahot asaan tha ke Ruksanah ki jism se mile sperm aur Tariq ka veerya same the ya nahin. Examine karne se pehle hi Dsouza aur doctors ko pata tha ke Ruksana ki jism se mile hue sperm Tariq ka nahin hoga kyunke marne se koyi ek ghanta pehle wo sperm usski jism me gaye the aur uss waqt to Tariq apne shop mein tha, Ruksanah se contact bhi nahin kiya tha, to Dsouza ko pehle se yakeen tha ke Tariq ki sperm match nahin hoga.

Aur wohi hua. Ruksanah ke jism mein kissi aur ka sperm tha, ab ek aur baat thi, ke Ruksanah ke jaangh par bhi semen mile the ussko analyse kiya gaya to wo kissi dusre aadmi ka tha, matlab do different type ke sperm the, ek body ke andar aur ek jaanghon par…. matlab do aadmiyon se sexual encounter hua tha Ruksana ke marne se pehle!

Upar se rape nahin hua tha, Ruksanah ke razamandi se sex kiye gaye the. Wo bhi involved thi sexual encounter mein kyunke usske daant aur jeeb mein bhi sperm mile the aur wo jaanghon wale sperm se match karta tha.

Commisionner sahab se baat karte hue Dsouza ne pucha kia Rocky ko Goa se laaya jaa sakta hai police ke order par?

To commissioner sahab ne kaha ke wo aur Virendra to clean hein nah, to kyun ussko bulwana hai?

Dsouza ne kaha,

“Ek game khelna hai mujhe uss Rocky ke saath Sir. Jhoot ka sahara lena hoga. Uss se kahunga ke usska sperm mila hai Ruksanah ki body se, ussko andar karke jhoot ke sahare se uss se kuch ugalwana chahta hoon, mujhe pakka yakeen hai ke wo darr se bahot kuch uglega…. Of course, pehle usska sperm liya jaega jhoot mooth ke test karne ke liye aur report aane par kahunga ke jo sperm Ruksana ke jism se mila ussi ka hai. Give me that permission sir, yeh sab chalta hai tehkikaat ke dauraan.”

Commissioner: “haan mujhe pata hai yeh sab to chalta hai, okay then thik hai main Goa police ko contact karta hoon aur ussko yahan bhejwata hoon. Aap befikar rehye; Goa police mein mere ache contacts hein. Weise aap to goa se hi ho, aap bhi sabhi to jaante honge nah wahan?”

Dsouza: “yes Sir magar ab retired hoon to I have no power like before hehehe! Aap Mister Ramdowar se baat kijiye wo zaroor aap ka kaam fatafat kar dega.”

Commissioner: “are wah, main ussi ko contact karne ko soch raha tha.”

Dsouza: “To uss se keh sakte ho ke main kaam kar raha hoon iss case par mera naam sunkar wo aur bhi jaldi kaam karega.”

Commissioner: “great. Abhi karta hoon contact.”

Dsouza nikal gaya aur Commissioner sahab ne pehle Rocky ke relatives ko contact kiya, unn logon se pucha ke Rocky Goa mein kahan thehra hua hai aur khabar mil gayi tab Commissioner sahab ne Goa police mein mister Ramdowar ko phone kiya aur unn se kaha sab kuch. Mister ramdowar ne kaha turant wo kaam par lag jata hai.
*****************************************************

Goa ke police Rocky ko Commissjoner ke office mein laaye koyi 7 ghante baad.

Rocky ek handsome aadmi tha, gora rang, kuch firangi type look tha usska, aur thoda hippie type lag raha tha, lambe baal, baazu par tatoo, kaan mein baali, chest flat, thoda patla sa tha, kad koyi 5”8 hoga aur usske aankhen neele the, full blue eyes. Chikna chehra, lagta tha abhi abhi shave karke aya hai. Usske gestures thoda dabang jeise the. Ussne commissioner se pucha,

“yeh kia locha hai sir? Kyun mujhe eise police walon ne yahan laya? Main koyi criminal hoon kia? Sala yeh Goa ke police mujhse kuch kaha bhi nahin ke kyun uthaya mere ko, buss yahan zabardasti le aaye!”

Commissioner ne muskura kar ussko dekhte hue kaha,

“fikar mat karo, police ke saath cooperate karna har citizen ka right hota hai, hein nah? To kia tum cooperate karoge hamaare saath ek case ki investigation ke liye?”

Rocky: “haan karega cooperate magar main hi kyun? Kia case hai?”

Commissioner: “abhi pata chal jaega.”

Commissioner ne Dsouza ko bulwaya aur uss se rocky ko introduce kiya.

Dsouza rocky ko apne room mein legaya aur pehla sawaal yeh kiya,

“Kia tumko Tariq ne phone karke nahin bataya Ruksanah ke baare mein?”

Rocky ka chehre ka rang badla Dsouza ki baat sunkar, aur usske maathe par kayi pasine ke boondein nazar aaye Dsouza ko. Dsouza ko pata tha usska wo haal hoga Ruksanah aur Tariq ke naam sunkar.

Rocky ke gale ki adam apple upar niche hote hue nazar aaye tab kaha,

“Are Sir Tariq, Virendra aur mujh mein yeh baat tey hui thi ke koyi bhi kissi ko koyi call nahin karega kyunke main aur Virendra out of town ho rahe hein holidays manaane jaa rahe hein so no disturbance, yehi decide hua tha hum teenon mein to kyun Tariq mujhko phone karega?!”

Dsouza: “Iss liye ke Ruksanah is no more!”

Dsouza ne nahin kaha ke Ruksanah ki katal hui hai, wo dekhna chahta tha ke Rocky keise react karega aur kia murder shabd aega usske zubaan par ya nahin.

Rocky ne shocked hote hue pucha,

“What? Kab? Keise? I don’t believe it? Tariq keisa hai sir? Aur police kyun involved hein phir?”

Dsouza ne test karte hue uss se kaha,

“Aap ki best friend ki wife ki death hui aur aap ko nahin pata? Don’t tell me mister Rocky? Jiss din aap Goa ke liye rawana hue usske thik ek din baad ruksanah ki death hui matlab do mahine aur 7 din ho gaye aur aap ko pata hi nahin? Yeh keise mumkin hai?!”

Rocky: “Sir mujhe ab bhi yakeen nahin ho raha aap mazaak kar rahe ho nah? kuch aur baat hui hai aur aap mujhse tricky sawaal karke kuch jaanna chah rahe ho hai nah? Sir eisi mazaak mat kijiye, sala main ne kyun Tariq se mujhe disturb nahin karne ko kaha tha?! … phir bhi agar death hoti to Tariq mujhko zaroor batata sir, Virendra ko bhi batata, kia Virendra ko pata hai? Kahin Virendra bhi wapas to nahin agaya?”

Dsouza: “Nahin aya wo halaan ke keh kar gaya tha ke 2 mahine ki visa mila tha usse aur abhi 2 mahine aur 7 din ho chuke… weise aap ne bada lamba vacation le liya - 2 mahine?! Itna lamba vacation? Agar police aap ko nahin lata to aap kitne din aur Goa mein rehte mister Rocky?”

Rocky: “are sir main to 10 din pehle hi ane wala tha, magar wo mil gayi nah udhar ek…. Hehehe!”

Dsouza: “ladkiyon ka bada shawkeen ho aap Rocky? Yahan kitne the weise?”

Rocky: “yaha bhi the aur hein sir ji. Hehehehe!”

Dsouza: “Acha kitne hein yahan aur main jaan sakta hoon aap ne shaadi kyun nahin kiye hein abhi tak?”

Rocky: “jab shadi ka maza bina shaadi kiye mil jata hai to kyun bandhna kissi ke saath sir ji, main ne dekha hai shaadi karne ke baad bhi patniyon ko dusre mardon ke saath enjoy karte hue!”

Dsouza: “hmmm sahi kaha aur aap bhi to dusron ke patniyon ke saath hi ziada maje karte honge nah?!”

Rocky: “to kia karta sahab jab milte hein to unnko khush to karna padta hai nah!”

Dsouza: “aur dost ki biwi mile to?!”

Yeh sunkar Rocky ke chehre ka rang badal gaya aur wo samajh gaya Dsouza kia kehna chahta tha, ek to wo bahot gora tha hi uss par se chehre ki laali, usske kaanon tak chhah gaye aur Dsouza usski reaction ko dekh raha tha ghaur se. To Rocky ne kaha,

“dekho sahab ab aap kuch ziada bol rahe ho yeh sahi baat nahin hai….”

Dsouza: “chalo koyi baat nahin ab kum bolta hoon, tumko hamare saath cooperate karna hoga abhi issi waqt…”

Rocky: “cooperate to kar raha hoon nah sir ji”

Dsouza: ”abhi issi waqt mere saath clinic chalo tumhare sperm ki sample ki sakht zaroorat hai….”

Rocky heyraan hote hue pucha “wo kyun?” magar Dsouza ussko cooperate karne ko kaha aur baad mein sab pata chal jaega ussko kaha.

Clinic mein ussne sample de diya tab jaane ki ijazat manga ussne yeh kehte hue ke ussko tariq se milne jana hoga turant sympathy ke liye. Dsouza ne ussko jaane se pehle ek kaam karne ko kaha – uss se Virendra ko call karne ko kaha, aur ussko bataane ko kaha ke Ruksanah mar gayi hai ussko turant ana chahiye Tariq se milne kyunke wo akela hai….

Rocky ne dsouza ke saamne Virendra ko call kiya aur Virendra ne kaha ke shaam ko plane pakarta hai wapas aane ke liye.

Dsouza ne tab Rocky ko jaane diya yeh kehkar ke jeise usski zaroorat padegi ussko turant police station ana padega. Rocky ne okay kaha aur chala gaya tariq se milne.
****************************************************

Tab tak Dsouza gaya phir se ruksanah ki office Tyagi ki talaash mein.

Wahan jaa kar pata chala ke Tyagi ne do mahine ki chhuti liya hai aur pata nahin kahan gaya hai holiday manaane. Dsouza ko shak tha ke wohi hua hoga kyunke last time wo aya tha investigate karne to kissi ne bhi Tyagi ka naam bilkool nahin liya tha.

Jab Dsouza ne chaan bin kiya to pata chala ke Tyagi Ruksana ki ghaayab hone ke do din baad chhuti liye aur usske baad office bilkool wapas aaye hi nahin.

Tab Dsouza ne cctv footage dobara dekha uss din ki jab Ruksana last day office se nikli thi, iss baar Dsouza ne office ke andar ki footage dekhna chaha aur pehli baar ussko dikhaya gaya ke Tyagi kaun tha aur office mein kitni doori par usska office tha ruksanah ki office se…bagal mein tha aur ek internal door tha jahan se donon ek dusre ke office mein aate jaate the….

Dsouza dekhna yeh chahta tha ke kia uss din Tyagi bhi nikle the 12 baje ya nahin, to tyagi ki coverage dekhta gaya….Tyagi 1 baje apni office mein tha, 2 baje bhi office ke compound mein hi chal phir raha tha, 4 baje bhi andar hi tha aur 5 baje office se nikla tha…..

To Dsouza yaad karne ki koshish kar raha tha ke forensic report mein kitne baje Ruksanah ki death report ki gayi hai aur ussko yaad nahin araha tha…..khud se sochne laga ke kahin eisa to nahin ke office se nikalne ke baad Tyagi Ruksana se milne gaya aur usske baad ussi ki company mein ruksanah ki death hui ho?!

Jitna bhi cctv coverage ko dekha utna sab apne pendrive mein save kiya douza ne aur wahan se Tyagi ki ghar ki address liya aur kuch information bhi liya Tyagi ka aur wapas police station gaya check karne to dekha report mein likha hua tha ke Ruksanah ki death 3.15 ko hui thi. Aur uss waqt to Tyagi apne office mein tha….. to Tyagi kaatil nahin ho sakta Dsouza ne socha, to filhaal usske taraf badhna ussne munasib nahin samjha….. ussne concentrate kiya Rocky aur Virendra hi par, ussne ek plan banaya tha uss pe wo kaam karne jaa raha tha aur uss mein ussko Virendra aur Rocky ke help chahiye the issi liye unn donon ko frame karna chahta tha.

To be continued
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 9 Dsouza with Rocky

Dusre din Dsouza ne rocky ko call kiya police station aane ke liye.

Rocky aya to pehli baat yeh kaha Dsouza ko,

“Sir kal aap ne kyun nahin bataya ke Ruksanah ka khoon kiya gaya hai? Mujhe Tariq se pata chala kitna dukhi hai wo!”

Dsouza: “Iss liye main ne nahin bataya kyunke pata tha Tariq tumko batayega; magar sunon kia tumne Virendra ko bata diya murder ke baare mein?”

Rocky: “No sir main batana chahta tha magar usski mobile shayad flight mode par hai wo abhi aata hi hoga shaayad land kar diya hoga usska plane ab tak.”

Airport par Panday Virendra ka wait kar raha tha aur utarte hi ussko Panday ne apne saath chalne ko kaha police station…..

Udhar station mein Dsouza ne Rocky ko ek torture room mein bandh kiya aur uss se sawaal jawaab karne laga…dsouza ne kaha,

“Mister Rocky I regret to inform you that your sperm is matching the sperm we got from the body of Ruksanah so you need to explain us how come your sperm was in the body of Ruksanah who was killed? Iss waqt aap ek mujrim ban chuke ho already, katal ki jurm ka mujrim!!”

Rocky ke haath peyr kaampne lage aur usske maathe se pasine ki boodein tapakne lage to ussne haklaate hue kaha,

“nnnn no nooo that cannot be…. Main to yahan tha hi nahin sir? To ye keise ho sakta hai… nn no nnnoooo i don’t believe you sir….”

Dsouza bahot ghaur se Rocky ke chehre mein khauff dekh raha tha, aur ussko tissue diya usske maatha ponchne ke liye aur AC on karte hue kaha,

“Dekho Rocky main nahin keh raha hoon ke tumne khoon kiya hai, buss mujhe itna jaanna hai ke tum ne Ruksanah ke saath sex kiya tha ya nahin?”

Rocky bahot ghabraya hua tha, kabhi Dsouza ke chehre mein dekhta to kabhi chaaron taraf…

Usski ghabrahat ko dekh kar Dsouza ne kaha,

“Dekho Tumhara dost Virendra tumse pehle yahan aa chuka hai wo dusre room mein hai iss waqt aur ussne humko sab sach bata diya ab tumhari baari hai sach batao ke tumhara sperm keise mila Ruksanah ki body se?”

Rocky: “kamina agaya aur ek phone bhi nahin kiya airport se?... Sir to kia Virendra ke bhi sperm mile aap ko?”

Dsouza: “hmmmm sahi padke nah aap ne? haan do logon ke sperm mile aap ki aur Virendra ki! Ab batao mujhe keise?!”

Rocky: “Sir we had an affair with Ruksanah sir!!”

Dsouza:”Both of you? Aap donon ka affair tha ruksanah ke sath?!”

Rocky: “keise samjhaun aap ko sir? Lambi kahani hai!”

Dsouza: “mere paas full time hai rocky sab kuch shuru se batao, all in detail I am listening.”

Rocky: “Sir wo, hmmm Ruksanah bahot hot, bahot sexy, bahot hi attractive, behad khubsurat thi aur hum se bahot hi ghul mil gayi thi ke hum ussko chhute the to wo kuch nahin kehti buss hanssti thi…. Sab Virendra ne shuru kiya tha….”

Dsouza: “Hamein pata hai wo kitni khubsurat aur kitni hot thi, tum kia main khud paagal hota usske piche agar abhi wo mere saamne hoti to, koyi bhi mard usska diwana ho sakta hai so main tumko aur Virendra ko samajhta hoon magar mere investigation ke liye mujhe sab kuch, suna, SAB KUCH jaannaa bahot zaroori hai, shuru se batao, kab keise sab shuru hua tum logon ke beech, come on now tell me the whole story! Main sab record kar raha hoon aur tum video recording par bhi ho”

Rocky:”Sir, magar hum ne Ruksanah ka khoon nahin kiya sir, God promise sir, by Jesus Sir hum khooni nahin hein, hum to yahan the hi nahin Sir, wo to kal pata chala mujhe jab aap ne bataya, we are not killers sir, we are lovers only….”

Dsouza: “are yaar mujhe pata hai tum donon ke khoon nahin kiye, mujhe tum donon ki bayaan sunnne ke baad pata chalega ke aur kaun kaun shaamil ho sakte hein iss mein come on now tell me damn it!”

Rocky: “Sir Virendra ne sab shuru kiya tha 7 saal pehle sir!”

Dsouza: “7 saal pehle?? Saat saal?? You mean tum donon Ruksanah ke saath 7 saal se lage hue the? Aur in 7 saalon mein Tariq ko kuch pata nahin chala?”

Rocky: “yes sir 7 years pehle Virendra aur main ek baar Tariq ke ghar gaye the dinner ke liye, ussi ne hum donon ko invite kiya tha, magar uss se ek mahine pehle hum ne first time Ruksanah ko dekha tha, mall mein Tariq ke shop par, uss din hum donon tariq se baat kar rahe the, hum askar usske shop par usske saath gappe maarte the, to uss din Ruksanah aayi thi Tariq se milne, tab donon ki shaadi ko 3 sal hue the…. Virendra aur main Ruksanah ko dekhte reh gaye wo itni beautiful aur hot thi ke uss se nazrein nahin hatt rahe the aur jab donon chale gaye to Virendra ne kaha, ‘yaar kitni sexy aur desirable wife mili hai sala tariq ko, yaar agar eisi mil jaye bed par to kitna maza ayega yaar? Kia issko try nahin kar sakte hum?!”

Dsouza: “good continue, continue please…..”

Rocky: “Sir uss dn ke baad jab bhi hum milte to sirf ruksanah ki baat hote the hum donon ke beech, virendra paagal tha usske liye aur koyi nah koyi bahana dhunta rehta tha ussko dekhne aur uss se baat karne ke liye…. Aur wo Tariq ko cherrta rehta tha ke kab bhabi ki haath ki chai pilwaega, kab usski haathon ki banaaye khana khilwaega….”

Dsouza: “Aur Tariq ne tum donon ko invite kiya ruksanah ke haath ka banaya khana khaane ke liye!”

Rocky: “Nahin sir pehle chai ke liye bulaya ek shaam ko.”

Dsouza: “shuru se hi ruksanah tum donon ke close ho gayi thi?”

Rocky: “haan sir kyunke hum donon tariq ke dost the, more than best friends the, to ruksanah bhi humko dost hi ki tarah treat karti, Virendra ussko hawas ki nazron se dekhta aur shayad ruksanah samajh gayi thi ke Virendra uss mein interested hai, aur pehle din hi Virendra ne ussko chhua, aur ruksanah ne kuch nahin kaha, jab ussne ruk ko chhua to main ne dekha, aur ruksanah ki reaction check kiya to wo muskura rahi thi, to main bhi samajh gaya ke she liked it….”

Dsouza: “Aur Tariq ne nahin dekha?”

Rocky: “of course not sir, ruksana jhuki hui thi chai serve karne ke liye to Virendra ne usski bum par haath ferra tha aur wo muskuraayi thi jeise kuch hua hi nahin”

Dsouza: “tabse lekar 7 saalon tak tum donon ke usske saath affair tha aur Tariq ko kabhi pata nah chala?”

Rocky: “pata chala nah sir, pata chala Tariq ko magar 5 saal baad.”

Dsouza: “What? Ussko 5 saal baad pata chala aur tum donon 7 saal ruksanah ke saath continue lage rahe, matlab aur 2 saal aur tum teenon ka affair raha Tarik ke pata chalne par bhi? Ladaayi jhagda nahin hua?”

Rocky: “no sir Tariq ko passand tha, he wanted us to continue with Ruksanah; ussko dekhna pasand tha sir!!”

To be continued……
 

Top