Writing Guide Part I: How To Publish Your Own Story

Will Change With Time
Moderator
8,510
16,871
143
"How to Post Story" iss thread ki help se ek new membar ya phir un sabhi membar ko new thread open karne me help karega. Jinhe jankari nahi hai ki new thread open kaise kiya jata hai.

Pic 1

IMG-20220919-102429

Pic 1 lusty web ke home page ka hai. Jisme botham me dikh rahe sabhi section me membar new thread open kar sakte hai. New thread open karne ke liye pic ke top me tik kiye gaye option (post thread) pe click karna hoga

Pic 2

IMG-20220919-112812

Pic 3

IMG-20220919-112839
Pic 4

IMG-20220919-112900

Post thread pe click karne ke bad ek pop-up page open hoga. Pop-up page me sabhi section aur sub-section show hoga. pic 2, 3,4 me dikh rahe section aur sub-section me aap aapne pasand ke mutabik kisi bhi section ke sub-section choose kar sakte hai aur apna thread open kar sakte hai.

Ek aur asan tarika hai. Jiske jariye sabhi membar apna thread open kar sakte hai. Uske liye home page par dik rahe section me se kisi ek section ko open karna hai.

Jaise ki Mujhe ek story thread open karna hai aur meri story hindi language ki hai to mujhe hindi language ko open karna hai.
 
Last edited:
Will Change With Time
Moderator
8,510
16,871
143
Pic 5

IMG-20220919-183524

Hindi language ko open karte hi pic 5 ke jaisa ek Page open hoga. Iss page ke top pe post thread, jise pic me tik kiya gaya hai ko click karna hai.

Pic 6

IMG-20220919-184609

Post thread pe click karte hi pic 6 me jaisa dikh raha hai vaisa hi ek page open hoga. Story post karne ka sara kam issi me hi karna hai.

Pic 7

IMG-20220919-185106

Sab pahle story ka title dalna hai. Uske liye pic 7 me tik kiye huye thread title pe click karna hai aur jo bhi story ka title (naam) vo dalna hai.

Pic 8

IMG-20220919-190035

Title dene ke bad hame story prefix select karna hai. Uske liye hame no prefix wale option pe click karna hai. Click karte hi pic 8 me jisa dikh raha hai vaisa hi ek pop-up page open hoga jisme sabhi story prefix pahle se likha hoga bas aapko apna prefix par tik karna hai aur apka prefix select ho jayega.

Pic 9

IMG-20220919-191013

Story titel aur prefix dene ke baad aapko apne story ka pahla update ya phir kuch jaruri bate jo story se releted hai use post karna hai. Uske liye aap ko pic 9 me jahan tik kiya gaya hai us pe click karna hai aur pahla update likhna suru karna hai yadi apne pahle se hi likh rakha hai tab aap vahan se copy karke yahan paste kar dijiye.

Pic 10

IMG-20220919-192146

Paste kiye gaye metar ya phir likha gaya meter ko pic 10 me tik kiye gaye option ki help se bold karne ke liye bold option "B" use kar sakte hai. "I" yani itelic ka use karke paste kiye huye metar ko teda (tircha) kiya ja sakta hai. "T" option ka use karke paste mater ke tex size ko bada (big) ya chota (small) kiya ja sakta hai. Colour pot ki help se paste kiye gaye ya phir likhe huye mater ka colour change kiya ja sakta hai.

In sabhi option ko use karne ke liye likhe huye ya paste kiya hua mater ka select hona jaruri hai. Select karne ke liye likhe huye metar me kahi par bhi teb karke kuch der ke liye hold karke rakhe jisse vo chota sa hissa select ho jayega phir crusar ki help se pura mater ko select kar lijiye.

Pic 11

IMG-20220919-193812

Pic 11 me tik kiye huye teg option ki help se post kiye ja rahe story ke liye costum teg diya ja sakta hai. Uske liye tik kiye box me cilek karke sirf three words type karna hai aur pahle se fide kiye huye kuch coustom ted show hoga jisme se kisi ek ko select kar dena hai. Aap jitna chahe utna story se releted coustom teg dal sakte hai.

Pic 12

IMG-20220919-193844

Pic 12 me tik kiye huye "Upload images" option ki help se aap apne story me images upload kar sakte hai. Iske liye apko apne story ke us jagh par cruser ko le jana hai jaha apko image uplod karna hai. Uske bad cruser par teb karke upload images option ko click karna hai.

Pic 13

IMG-20220919-195649

Upload images option pe click karte hi pic 13 me dikh rahe page jisa ek page open hoga phir pic 13 me tik kiye huye option ki help se pahle se hi download image ko select karke image ko upload kiya ja sakta hai.

Pic 14

IMG-20220919-200308

Title se lekar image uplod karne tak ki sabhi kaam kar lene ke baad last me sirf ek hi kam bachta hai aur vahan hai. Story ko post karna uske liye hame pic 14 me tik kiye huye option ko click karna hai. Click karte hi aap ki story post ho jayega.
 
Will Change With Time
Moderator
8,510
16,871
143
Aapne apna story thread open kar liya hai aur pahla update bhi post kar diya hai. Ab dusra update post karna hai lekin apne story thread ko search kaise kare. Story thread ko search karne ke do tarika (options) hai.

1st option hai. Jis bhi section me apne apna story thread open kiya hai vahan enter kare aur ek ek page scroll karke apna story thread khoj nikale.

2nd option hai search option

Search option apko sabhi jagh dikh jayega chahe General Discussions, Media Section, Story Section, Other Stuffs, LustyWeb yah phir home page ho.

Pic 15

IMG-20220919-204914

Search option apko kisi bhi section ya phir home page ke top me dikhega. Kaha dikhega uske liye pic 15 ko dekhe. Pic 15 me tik kiye huye jagah pe click karna hai.

Pic 16

IMG-20220919-210138

Search option par click karte hi pic 16 me dikh raha ek pop-up page open hoga. Pop-up page me pic 16 me tik kiye huye pahle box me apko apna story title (naam) dalna hai. Jaise ki maine "ajnabi hamsafar rishton ka ghathbandhan" titel dal rakha hai.

Dusre tik kiye huye option "everywhere" ko vaise hi rahne dena hai aur tisra tik kiya hua "search title only" ke samne ke khali box me tik ka nishan hona jaruri hai. Isse hoga ye ki jab aap search karenge to jo title apne dala hai sirf usi title ke thread ko hi search karke aapke samne rakh dega.

Pic 17

IMG-20220919-212459

Pic 17 me tik kiye huye jagah pe apko apna profile name dalna hai. Jaise ki maine "Destiny" dala hai to niche profile pic ke saath destiny dikha raha hai bas uspe tab kar dena hai aur apka profile name select ho jayega. Profile name dalne se aapka apna open kiya hua therad hi search hokar samne aayega.

Iske bad apko search wale box par click karna hai. Click karte hi apka thread search hokar samne aa jayega phir apne thread pe click karke apna thread open kar lijiye.

Apka apna open kiya hua story thread open hote hi apko aapne story ka dusra update post karna hai.

Pic 18

IMG-20220919-215034

Story ka agla update post karne ke liye pic 18 me tik kiye huye post box me story ka next update paste kare ya phir likhe phir chaye to post box ke top par dikh rahe option ki help se likha hua ya phir paste kiya hua mater ko bold, italic, tex size aur colour ka use kar sakte hai. Uske bad jise upar image uplod karne ka tarika bataya gaya hai vaise hi images upload karke "post reply" pe click karke post kar de.

Note:- apke thread ka Page automatically add hota jayega. Every Page ke liye kuch post nirdharit kiya gaya hai. Nirdharit kiye huye post pura hone ke bad next Page automatically creat ho jayega.

 

Top