Fantasy Immortals

Main Samay hu...
1,767
1,439
143
Chaliye ek aur ajeeb si kahani shuru karte hai....Aasha hai aap sab saath de..

Iss kahani ke sabhi ghatnaye mere dimag ki upaj hai...agar wo kisi bhi vastavik ghatna se connected hai to ye bas ek ittefaq hai aur kuch nahi...

Chaliye ab shuru karte hai...pahle update mein introduction pe kuch agal experiment kiya hua milega agar accha lage yaa naa bhi lage to batana jarur..
 
Main Samay hu...
1,767
1,439
143
UPDATE - 1

Shuru karte hai ek sawal se....

"Jo kabhi paida hi naa hua kya wo kabhi marega...jis raste pe aapne kadam hi nahi rakha kya aap aap uss raste se hoke jaane wale mukaam tak kabhi pahuch paoge...jo Imarat kabhi bani hi nahi kya wo todi jaa sakti hai....".

Sayad jyada ho gaya.....chaliye isko chod hum kahani pe chalte...waise ye sawal aate rahenge kahani mein issi liye likha hai....

Ek school hai...Earth ka nahi kahi aur kaa.....kaha ka wo aage dekhte hai....

Haa to school hai to class bhi hogi....ab yaha ki tarah to hai nahi ki binna class ke hi school binna collage ke hi degree..

To class chal rahi thi...Teacher shahiba padha rahi thi aur bacche padh rahe the...

Teacher- Kittu chalo batao pramukh planets kon kon se hai....

Kittu ek student hai jo kabhi padhayi mein dhyaan nahi deta usse sawal iss liye pucha Teacher ne kyun ki ye janab baithe hue the last bench pe aur khana thoosh rahe the...

Ab Madam ne pucha to khada hona hoga jawab dena hoga warna sazza ke liye taiyaar raho...

Kittu khada hota hai aur agal bagal apne doston ko dekhne lagta hai...par dost bhi iske harami the...koi 3 kah raha hai koi 6 to koi 1 bol raha hai...Kittu pareshan ho jata hai waqt to tha nahi ki sochte rahe kyunki Madam ji ko gussa to aa gaya tha pahle hi...to aankhen band kar ek andaza lagata hai wo....

Kittu- 7
Sayad aaj Kittu ka naseeb accha tha...usne andaze se hi par sahi jawab de diya tha...aur uska jawab sun sabhi usko dekhe jaa rahe the...Madam bhi usko dekhe ja rahi thi...

Madam- Haa sahi jawab....chalo ab batao ki kon kon se...

Ab kittu fasa wo bechara jiska pahle sawal ka jawab hi tukke se sahi hua hai ab usko ussi sawal ke baare mein batana hai....

Kittu- Madam naam to pata nahi hai....

Madam- Pata kaise hoga aap to khana khane aate ho yaha...padhayi karoge nahi to kaise pata hoga ye sab...chalo iss baar maaf kiya kyunki pahle sawal ka jawab sahi tha..tukke se hi sahi..

Kittu baith gaya...

Madam:- Chalo kon batayega 7 pramukh planets ke naam...

Ek student khada hota hai...

Student- Madam
"Sabse pahle aata hai sabse strong planet "Titan planet".....yaha pe Devta rahte hai...
dusra aata hai "Orion Planet".....ye jadugaron ka planet hai...
tisra aata hai "strange world".....yaha tarah tarah ke jeev hote hai.....hum bhi yahi ke rahne wale hai...
chautha aata hai "Earth"....yaha ajeeb se dikhne wale log rahte hai...ye pramukh ptanets mein hona chahiye yaa nahi ispe vivad hai abhi bhi...
panchma aata hai "Dark world"....yaha pe saare bure creaatures rahte hai...
Chhatha aata hai "Fomos world"....ye hai ek jail jaha pe upar ke sabhi planets ke siway Earth ke behad khatarnak mujrimon ko bheja jaata tha sazza katne ke liye...par unsabne yaha pe kabja kar liya aur iss jagah ko chor dakku insabka ilaka bana diya hai...
shatva aata hai "Demos world"....yaha pe shaitan rahte hai...
Waise aur bhi hai planets par unko iss shuchi mein naa rakhne ki wajah hai waha ki population aur kuch aur khass wajah..."

Madam ji to puri khush usne uss student ko sabasi di aur baithne ko kaha...

Madamji - Haa to aaj ka class hai Earth ke baare mein....Haa pata hai ye boring jagah hai...par ye pahle aisa nahi tha...yaha pe jo mukhya prajati hai wo hai insan ki...par iss Mukhya prajati ke alawa bhi aur prajatiyan hai yaha jo chup kar rahti hai iss jagah pe aur unhi ke karan iss Planet ko Mukhya planets mein ginna jaata hai...Ab unme aate hai Elfs, Fairies, Vampire...aur bhi naa jaane kitne jeev....

Abhi baat puri nahi hui ki ek student haath utha ke sawal puchne ka ishara karne laga...Madam ji ne usse puchne ko kaha...

Student- Madam ye sab jo prajatiyan hai wo to waha ki nahi lagti...fairy acche powers ki hoti hai Vampire bure powers ke fir dono ek planet pe kaise...

Madam- Haa ye ek accha sawal hai....chalo ab batati hu...baat ye hai ki jab Fomos planet se sazza kaatne ke baad cratures ko wapas apne planet pe jaane ka mauka milta tha to unhe pahle kuch waqt iss planet pe rahna hota tha....ab ye niyam kyun tha iska pata nahi hai....Haa to issi niyam ke karan log Pritvi pe jaaate...par waha se bahut hi kam log wapas apne planets pe pahuch paate the...baaki ke wahi rah jaate...waha ke logo ke bitch...Ab ye sab chalta raha aur unke baccho ka bhi janm hone laga Earth pe jisse unn sab ki bhi prajati badhne lagi...par ab unke baccho ko wapas unke planet pe nahi laya jaa sakta tha...jab aisa hua to unn creatures ne waha bhi apni apni community bana li....aur wahi pe rahne lage...

Ab bahut ho gayi padhayi chalo yaha ke logo ke baare mein bhi jaan le aur kuch mukhya kirdaro ke baare mein...

Haa to ye jo madamji hai ye Billi ki tarah dikhti hai sirf ye hi nahi yaha iss school ke bahut se log billi ki tarah hi dikhte hai...puch bhi hai inn sabki...

Madamji ka naam hai IP ab ye kyun hai wo ye jaane...

Inka iss kahani mein role aata rahega...ab iss school ke baare mein jaan le...to ye school Strange world mein hai aur sabhi 7 worlds mein sabse acche school mein aata hai ye school yaha pe har world ke bacche aate hai padhne ke liye apni powers jaane ke liye...Har world se matlab ye hai ki naa sirf inn 7 worlds balki aur bhi alag alag worlds se bhi....

Iss School ke sansthapak ke baare mein kisi ko kuch pata nahi hai....par unki shaktiyon se sab parichit hai...chaliye aapko bhi parichay dilwate hai ek ghatna se...

Kuch saal pahle ki baat hai...Demos world ka Rajkumar yaha padhne aaya tha...Demos world ka rajkumar bole to Demons ke Raja Lucifer ka beta....uska kisi karan se jhagda ho gaya kisi se...ab ye to thahre gusse wale rajkumar...to inhone apni buri kaali shaktiyon ka prayog karna chaha....Par ussi waqt ye janab Strange world se teleport hoke apne planet pe pahuch gaye...matlab ye ki iss school ke sansthapak ne yaha aise jaadu kiye hai jisse students apni shaktiyon ka use bas uss class mein hi kar sake bahar nahi...aise hi bahut saare jaadu wo karke gaye hai...Ab unka koi pata nahi hai koi nahi jaanta wo kaha hai...

Iss ghatna ko batane ka ek karan ye bhi tha ki issi ghatna ke baad se Demos world Strange world pe hamla karne ki koshish mein rahti hai...par strange world ko bhi Orion aur Titan world ki shuraksha milli hui hai to wo nakaam hi rahte hai....

Lucifer - Demos world ke king, Demon lord
IP- teacher, Strange world (kuch aur bhi baatein hai inke baare mein jo bahut khass hai wo aage pata chalegi)

Abhi ke liye bas inn dono ka hi introduction rakhte hai...aur chalte hai hum Earth pe...Jaha pe aaj ek meeting chal rahi thi saare magical creatures ke head ki...

Baat ye thi ki wo bhi apne baccho ko Strange world mein padhana chahte the par...Strange world ke log ye maan nahi rahe the...

Elf Community ka head- Baat sidhi hai humme bhi apne baacho ko Strange world mein padhane ka mauka milna chahiye....Maine Elf King ko sandesha bhijwaya hai aur wo humare support mein hai...

Vampire community ka head- Sandesh humne bhi bhijwaya hai par koi jawab nahi aaya waha se...ab to bas aap logo pe hi ummid hai...

Warewolf community ka head- Humare maharaj bhi support mein hai...unka kahna hai ki wo iss mudde ko Strange world mein jarur uthayenge...

Fairy community ki head- Fairy queen ne bhi humme kaha hai ki wo baat karegi...

Abhi meeting chal hi rahi thi ki acchanak se roshni hui waha pe...kisi ko kuch dikh nahi raha tha..sabki aankhen band thi...roshni to kaam nahi hui par ek awaj aayi usse jisko sun sab khush ho gaye...(Vampire chup gaya tha wo roshni mein nahi aate)

Awaj- Main Strange world se aaya hu aap sabko ye batane ki ekbaar firse Earth se log Strange world mein padhayi karne jaa sakenge...

Itna bol wo aawaj wo roshni sab chali gayi...aur yaha pe sabki khusi ka koi thikana hi nahi raha...

Ye baat har jagah phail gayi ki Earth se bhi ab Strange world padhne jaa sakte hai...

2 din ke ander hi sab bacche ready ho gaye apni apni tests ke liye jo unhe dena tha Strange world mein jaane ko...test tha magic ka weapons chalane ka aur bhi kuch chizon ka...

Jab results aaye to Strange world ke log hairaan the...Earth ke saare bacche pass the..wo bhi acche numbers se...Ab jab aisa hua to school administration ne ek aisa faisla liya jiska kisi ko yakkin hi nahi hua...

Faishla ye tha ki Earth pe bhi iss school ka ek branch khola jaayega...Branch kulla aur padhayi shuru ho gayi....Par kisi ne ye nahi socha tha ki Earth k branch ek din Strange world ke branch se bhi aage nikal jaayega...jab aisa hua to IP madam ko Earth ke branch ka principal bana diya gaya...

Arre ye sab bahut pahle ki baatein ho rahi hai...base banana bhi to jaruri hai naa...aur thodi faltu ki bak bak aadat hai meri..

Ab hum aate hai Earth pe aur kahani humari yahi pe ghumegi jab jarurat ho tab bahar bhi ghum aaya karenge...

Year - 1976
Planet - Earth
Place- Imperial College, London

Ajeeb si ghatna hui thi yaha pe...jo iss college ke security, management sabko pareshan kar rahi thi unse puch rahi thi ye kaise hua...Yaha se acchanak se Students gayab hone lage...ek do nahi purre 23 students gayab...kisi ne unko bahar jaate hue nahi dekha tha...wo ander hi the collage ke hostel mein aur bas gayab ho gaye..Aaj tak unka pata nahi chala hai kaha gaye wo..

Year - 1989
Planet- Earth
Place- University of Calcutta

Yaha pe bhi aisi hi ghatna hui bacche gayab ho gaye iss university se...aur kisi ko bhi unka pata nahi chala...parents ne puri koshish ki par kuch pata nahi chala...

Ye to bas 2 jagahon ke naam hai Earth pe bahut se aise jagah the jaha se aise hi log jawan log jinki umar karib 19 - 20 saal hai wo gayab ho rahe the..aur unka kuch bhi pata nahi lag raha tha...

Kiska haath tha inn sab ke picche koi nahi jaanta tha...

Chaliye hum ek jagah chalte hai jaha sayad pata chal jaaye kuch...ye ek jungle hai bahut hi ghanna jungle...jiske centre mein ek guffa hai...Guffa ke ander se bas chillane ki aur hasne ki aawajein aa rahi hai...wo bhi bhayanak aawajein...

Jaise jaise guffa ke karib jaate hai waha kankal pade milte hai insano ke kankal jaanwaron ke kankal...thoda aur pass jaaane pe badbu aani shuru ho jaati hai aise bhayanka badbu ki puccho mat...aisa lagta hai 1000 chuhe mare pade ho yaha...

Guffa ke dwar pe ek murti jaisa kuch bana hua hai...dikhne mein to kisi inshan ki tarah hi lag raha hai...par usse lamba hai...ye Orion planet ke jaadugaron ki tarah dikh raha hai...Thoda aur aage jaane pe ek parchayi dikhayi di....jo kuch khaa rahi thi...aahhh aahhahaaa ye to ye to insan kha rahi hai ye ye to daayan hai....wo insan ko khati hai aur uske bacche hue kuch angon ko Body parts ko alag rakhti hai...jab uska khana ho jaata hai to wo apni jagah se uthti hai aur unn body parts ko Guffa ke dusri oor le jaati hai...yaha kuch bana hua tha...jispe makhhiyan bhinbhina rahi thi...ye to pura ka pura maans se bana hua hai...

Daayan uske upar wo bacche hue chizen lagati hai...aur pagalon ki tarah hasne lagti hai...

Daayan- Mera sapna mera sapna pura karega tu karega pura tu hihiihihihhii....bas aankhen hi baaki hai ab .....wo bhi laga dungi fir tujhe jinda karungi...hihihihiii...tu raja banega iss pure planet ka sabko apna gulam banayega tu tu bhi amar hoga...Amar hoga tu bhi...fir fir hoga badle ka khel shuru...pahle Earth fir Strange world fir baaki ke planets sabko sabko tera gulam banna hoga sabko...hihhihiiihii..

Wo daayan hasti, naachti hui aise hi baatein karti rahi...

Ab yaha rahna sahi nahi hai kya pata mujhe hi pakad le ye....

Ye jo kuch bhi yaha ho raha tha uska pata abhi tak kisi aur world ko nahi tha...Earth pe bhi jo magic school tha usko bhi bas itna hi pata tha insan gayab ho rahe hai....par ye to aam baat hai...yaha to insan maar kaat karte hi rahte hai..

Karib 2 din baad matlab Aaj to 15 July 2018 hai to ye ghatna 27 july ki thi...

Jab Delhi se ek ladka gayab hua...uske picche bhi issi Daayan ka haath tha....Daayan ne usko pakda aur wapas le gayi ussi guffa mein Guffa mein jaane ke baad pahle to Daayan ne uski aankhen nikali aur fir baaki ka kaam kiya uske body ke saath....

Aaj naa jaane kitne saalo ki mehnat puri honi thi iss daayan ki...usne uss maans se banne jo bhi tha wo uspe aankhen bhi laga di...aur fir wahi bhayank hassi...

Hasne ke baad usne guffa se bahar aake aasman ki oor dekha...grahan lagne hi wala hai to usne uss pathar ke murat ko ek baar dekha aur uske dekhte hi wo murat hillne lagi...Wo pather ji utha...usme se ek lamba chauda aadmi nikla....ji haa ye Orion planet ka jaadugar hi hai....

Jaadugar- Ye tum sahi nahi kar rahi ho Sofia...bahut hi khatarnak hai ye...

Sofia iss Daayan ka naam hai...

Sofia- Sahi galat kuch nahi hota Viraj....bas takat hi sahi hoti hai jo ye mujhe dega...

Viraj jaadugar kaa naam hai..

Viraj- Sofia baat maano meri....aahhhh..

Viraj kuch aur bolta usse pahle hi Sofia ne uska haath kaat diya jisse nikalte hue khoon ko wo ek katote mein jamma kar rahi thi...

Viraj- Sofia bahut galat hai ye tum bhi jaanti ho isse wo Amar ho jaayega..usko koi bhi maar nahi poaayega...Wo tumhe bhi nukshan pahucha sakta hai...

Par Sofia ko insab baaton mein koi dilchaspi hi nahi thi wo to bas lagi hui thi khoon ko ikkatha karne mein...jab uske jarurat jitna khoon aa gaya uske pass to usne Viraj ko wapas se pather banana chaha par iss baar Viraj ne ye nahi hone diya apne magic se wo waha se bach nikla...uske jaane pe Sofia ko jyada fark nahi pada jiski usko jarurat thi wo usko mil chuka tha...

Sofia ne Viraj ke khoon se pahle ek ghera banaya...uske bich mein uss maans se banne hue gudde ko rakha...fir khud ka haath kaat kar Viraj ke khoon ke upar dalne lagi...ussi ghere pe...Jaise hi ye ghera pura hua aur Chandragrahan laga...Kaali Safeed roshniyan Charo taraf se uss ghere mein aane lagi...aur wo shedha jaa rahi thi uss maansh ke banne hue gudde mein...Sofia ye sab dekh bahut khush ho rahi thi wo to bas naache hi jaa rahi thi....usko to uska sapna pura hote dikh raha tha....Chandragarahan khatam hua roshniyan bhi aani khatam ho gayi....

Wo Maans ka tukda ab ek jitta jaagta insan ban gaya tha...Insan haa insan Pritvi ke logo jaisa insan...Dekhne se hi jisko koi bhi dar jaaye...Par uska roop turant hi badal gaya aur wo normal logo ki tarah dikhne laga...

Aas paas usne dekha to bas wo Daayan yaani Sofia hi nazar aayi jo pagalon ki tarah naach rahi thi has rahi thi.....

"kon ho tum"

Sofia- Main main hu teri Maa tu tu mere har ek saone ko pura karega...tu tu mujhe ye puri duniya jeet ke dega...

"Maa "

Sofia- Haa Maa...Abhi to teri padhayi karwani hai par jab tu uss kabil hoga main apni vidya bhi dungi tujhe aur aur tu fir mere sapne pure karega...tera naam tera naam hoga...Slayer...

Slayer- Jaisa tum kaho Maa...

Haa to ye hai humara Villain....Slayer

Slayer ke ander Viraj ka khoon tha sath mein Sofia ka bhi matlab black aur white dono powers....upar se iska janm to hua nahi tha balki isko banayya tha Sofia ne to ye marne wala bhi nahi hai...par abhi dikkat ye thi ki iske ander wo shaitani nahi thi jo honi chahiye thi...ye shaitani to ab aate aate hi aayegi..

Aaj ke liye yahi tak...agle din dekhte hai ke Slayer kaise Magic school pahuchta hai...

Abhi kahani Villain ki hi chalegi...Ye villan jab bana hai tab se uski umar 18+ hi hai
 

Top