Fantasy Kaisa ye ishq hai ajeeb sa risk hai - written by Nain11Setar

Well-known member
1,167
1,335
143
Chay le lo chay, chay garam, chay garam" .... "Ek rupya de do sahab, mere bache bhuke hain.. aap ko dua lagegi".... "Vanita, mayapuri, oulook, sarita... magazine le lo magazine".... "Yatrigan kripya dhyan den, train no 12406, Mumbai howrah mail apne nirdharit samay se ek ghanta late hai... aap ke hui aswidha ke liye hume khed hai"
"Ufff kitni bhid hai yahan... ye main kaun si grah par aa pahuncha, ye to chidiyakhana jaisa lag raha hai".....
Nischal, Kalyan junction ke platform no. 4 par khada wahan ki bhir ko dekh ascharya me par gaya. Ajib tarah ke mahol, ajib tarah ke log aur bhasha to bikul samjh se pare.
Tabhi koi train uss plateform par aa kar ruki aur logon ki bhir utri.... ek aurat upar se niche bag lade, chillati hui kahne lagi.... "Ae khambe ki tarah raste me kyon khada hai, side hat na. Dikhta nahi bhari saman uthaye hun"
Nischal uss aurat ke ajib si baat ko samjh to nahi paya bas usse laga ki wo kuch kah rahi hai. Nischal hathon ke ishare me puchha "Kya hai"
Aurat.... Pagal hai kya hatne kah rahi hun to tujhe samjh me nahi aa raha hai kya....
Uski bhasha Nischal ke samjh se pare thi. Aur khada bas isharon me puchhne ki kosis kar raha tha ki wo kahna kya chahti hai.... anth me haar kar wo aurat he uske bagal se nikal gayi.
Wo aurat karib char kadam aage gayi hogi, Nischal ne samne dekha to uss aurat ka ek jhola sayad wahin chhut gaya tha... Nischal ne jhola liya aur teji se mura jhola usse wapas dene ke liye....
"Hey bhagwan ye mukhiya ji ke aadmi mujhe dhundhte yahan na aa jaye. Please bhagwan un kamino ki najar nahi pare mujh par, bacha lo prabhu... bacha lo"
Jabardasti shadi ho rahi thi, aur Jivisha shadi ke din he bhag aayi. Jab se train me baithi thi, usse ek he dar sata raha tha kahin mukhiya ji ke aadmi na dekh le, aur pakar kar uski jabardasti shadi na karwa de...
Dulhan ke libas me, upar se niche tak sazi Jivisha.... "Bhagwan-bhagwan" karti chali ja rahi thi.... tabhi... "Ticket... ticket"... karte huye T.T bhi pahunch gaya...
T.t ko dekh dekh kar Jivisha jor-jor se rone lagi. Halanki uski aankhon me aanshu to nahi the par awaz me rone wali siskiyan jaroor thi.
Kuch he der me bhir jama ho gayi..... "Kya hua bitiya, tum ro kyon rahi ho, tumhare sath wale log kahan gaye"
Bhir me se ek dayalu lady, Jivisha ko satwana deti puchhne lagi..... Jivisha apne naak aur aankh ponchhti kahne lagi..... "Mere sath koi bhi nahi. Pata nahi mere pati kahan chale gaye. Subah jab nind khuli to mere pass nahi the. Kab se unhe dhund rahu hun mil he nahi rahe. Ticket, paisa sab unhi ke pass hai... subah se bhukhi bhi hun, kuch khayi tak nahi".
T.t, wahan ke mahol ko dekh kar he nikal gaya. Usse samjh me aa gaya tha ki aage kuch kaha to public puri lapat paregi.
Train ke achhe bhale log, sab uss bechari akeli asahay ladki ko wahan se utha kar apne stah wali berth par le aaye. Pahle to khub khilaya pilaya, fir Jivisha ke pati ko 100 galiyan dete huye usse kosne lage.....
Train apni puri raftar se apne har paraw par rukti hui chal rahi thi. Jivisha ka safar achha katne laga, lekin tabhi lobby me najar gayi aur dar se Jivisha ka kaleja dhak-dhak karne laga. Mukhiya ji ke aadmi Jivisha ko dhundhte uss compartment me pahunch chuke the.
"Ab kya karun... Bhagwan kaha tha na thodi madad karo... nahi suni na aap ne"... Jivisha chupke se wahan se uthi aur ja kar bathroom me ghus gayi... idhar mukhiya ji ke aadmi usse pure compartment me dhundhte aage badh rahe the.... Tabhi Kalyan junction par train ruki aur Jivisha chhipte-chhipate bahar nikal gayi.....
Jisvisha mud-mud kar aage pichhe dekh rahi thi aur bari teji se aage badh rahi thi. Nischal uss aurat ka bag utha kar usse dene ke liye mura he tha... aur ussi waqt Jivisha mur kar train ko dekh rahi thi aur apne kadam aage badha rahi thi.....
"Dharam"....... Jivisha aur Nischal ki takkar ho gayi... Jivisha larkhara kar girne lagi. Tabhi Nischal ne uske kamar ko apne hathon me tham liya aur usse girne se bachaya....Nischal ne aakhen munda... sara ghatnakarm usse slow motion me dikh raha tha.... uska murna... aur Jivisha ka kandha uske sine se takraya..
Uski gardan piche ki ore mure aur kadan aage tha.... uffff jhatke ke sath gardan ghumate aage muri... khubsurat se chehre par pura baal bikher gaye. Uske aage ka paun larkharaya, aur wo girne lagi...
Nischal ne apni aakhen khol diya... Jivisha ko ab bhi wo apne hathon me thame tha... aur Jivisha ka chehra pura balon se dhaka tha.... Jivisha apne chehre par aaye bikhre baal ko hatayi... "Uffff kya masoom, khubsurat si jhalak thi, aur ye dulhan ka libas iss roop me par aur char chand laga raha tha"
Nischal ke liye ye pal jaise tham sa gaya ho, aur najren bas Jivisha par he tiki rah gayi. Idhar Jivhsa khud ko balance nahi kar payi aur wo larkhara kar girne lagi. Bikhre baal sidhi karti wo jab uthne ki kosis kar rahi thi, tabhi samne Nischal ka wo khubsurat sa chehra tha....
Ek pal ke liye aisa laga ki ye chehra dil me utar raha hai. Par agle he pal jab wapas najren train ki ore gayi to pata chala ki mukhiya ji ke aadmi issi taraf aa rahe hain....
Jivisha, Nischal ke kalai ka sahara le kar sidhi khari hui. Apne aeriyon ko unchi karti thodi upar hui aur Nischal ke gale me hath dal kar hont se hont laga diya. Jisvisha apna chehra chhipane ke liye Nischal ke hont se hont laga, usse chumna shuru kar di.... Nischal ki aankhen fati ki fati rah gayi... usse samjh me he nahi aaya ki ek he pal me ye kya ho gaya....
Jivisha hont se hont lagaye rakhi, aur najren utha kar dekh bhi rahi thi ki wo log unhe cross kiye kiye ya nahi. Aankhen khuli to pata chala ki mukhiya ji ke log bhi wahan khadey ho kar free ka show enjoy kar rahe hain.....
"Fas gayi Jivisha iss filmy trick ke chakkar me. Bhagwan ab aur kitne twist haan, kuch to raham karo. Kab tak main iss anjaan ke sath kiss karti rahun".
Jivisha aakhen kholti aur fir kiss continue karne lagti. Chhota kiss to samajh me bhi aata hai, logon ka dhyan nahi jaye. Lekin ye kiss to lamba, aur lamba he hota chala ja raha tha, aur logon ki puri bhir jama ho kar bas yahi najara dekh rahi thi.... tabhi Jivisha ke kano tak aawaz pahunchi....
"Chalo re inhe romamce kar lene do, lagta hai honeymoon bhi yahin mana kar jayenge. Chalo Jivisha ko ander train me he dhundhte hain"
Train ne horn dena shuru kiya aur mukhiya ji ke log nikal liye. Train jab badh chali to Jivisha, Nischal ke hont chhorti, yakkk-yakk karti apne hont ko rumal se pochh ne lagi....
Khud ko thik kar ke najar jab samne ghumayi... Nischal bari si aakhen kiye usse tukur-tukur dekhe ja raha tha.... Jivisha ke pass bhi koi sabd nahi the ki ab iss bechare ko kya jawab de jo kiss ke baad hakka-bakka khada tha.... Dono nisabd khadey bas ek dusre ko he dekh rahe the....
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Khud ko thik kar ke najar jab samne ghumayi... Nischal bari si aakhen kiye usse tukur-tukur dekhe ja raha tha.... Jivisha ke pass bhi koi sabd nahi the ki ab iss bechare ko kya jawab de jo kiss ke baad hakka-bakka khada tha.... Dono nisabd khadey bas ek dusre ko he dekh rahe the....

Jivisha.... Aise kya dekh rahe ho, jo bhi hua usse bhul jao aur bhago yahan se.

"O' Khudaya, kuch to aisa karo ki inki baat mujhe samjh me aa jaye. Khair baat samjh me aaye ki na aaye, inka andaz pasand aaya, issi ke sath chalta hun, kafi friendly nature hai iska".

Jisvisha.... Abhi tak yahin khare ho aur aise tukur-tukur kya dekh rahe ho. Ek baar kahi to samjh me nahi aa raha kya. Ab main kyon isse samjha rahi hun. Tum maro yahin main chali.

Jivisha, Nischal ko chhor kar platform se bahar jane lagi, aur Nischal bhi uske pichhe-pichhe chal diya. Jivisha pani bottol kharidne ek stall par ruki, tabhi Nischal bhi uske pass aa kar khada ho gaya......

Jivisha ki najar jaise he uss par gayi..... "Jivisha, pagal, jhalli, ullu... kis chipku ko kiss kar di duffer, pichha he nahi chhor raha".... bari si aankhen kiye bebas bhari najron se Jivisha, Nischal ko dekhte, hath jor kar kahne lagi.....

"Unnnnnhhhh huuuunnn hunnnn.... sorry baba wo jaan bachani thi isliye kiss kiya, mera pichha chhor do please. Dekho tum mera pichha chhor do to badle me main tumhe bahut sara rupya dungi"... Itna kah kar Jivisha ne kuch 500-1000 ke note aage badha diye...

"Bechari ladki, kitni musibat me hai, lekin ye bekar si chij mujhe kyon de rahi hai... Lagta hai issi wajah se paresan hai".... Nischal ne khud me jo samiksha karna tha kiya aur Jivisha ke hath se note le kar tukra-tukra kar diya....

Jivisha gusse me usse dekhti.... "Tum ye paise far kar kya dikhana chahte ho, bahut bare raish ho... huhhh. Dekho ab tak pyar se kah rahi thi lekin ab yadi pichha nahi chhora to police se pakrwa dungi"....


Nischal ko ab kya samjh me aaya ki wo kya kah rahi thi, wo bas haan me apna sir hila diya. Haan me usne jaise he sir hilaya, Jivisha halki muskurayi .... "chalo picha chhuta"... Jivisha ko muskurata dekh Nischal bhi muskuraya..... "Lagta hai ye bechari uss kachre ke wajah se paresan thi, ab khush lag rahi hai"

Jivisha muskurati bye ka ishara karte usse chhor kar jane lagi.... Nischal bhi hath hilata uske sath-sath chalne laga.... Jivisha mukurate huye usse fir dekhi aur kahne lagi...... "Darling abhi to kahe the ki tum mera pichha nahi karoge, fir mere sath kyon chal rahe ho... tum apne raste jao main apne raste"

Ek baar fir Nischal ne haan me sir hilaya... Jivisha ko fir laga ki ab ye apne raste jayega aur main apne raste.... wo apne kadam aage badhayi... aur fir se uske sath Nischal bhi chal diya....

Jivisha sir pit'ti wahin jamin par baith gayi aur nakiyate jor se chillayi..... "Mammiiiiiiiii"..... Agle he pal Jivisha khud ko kosne lagi... "wo kaun si manhush ghari jo main bhagi aur ye chipku mil gaya, na main bhagti aur na he ye chipku milta".....


Jivisha in flash back... kuch din pahle....

Buglow ke bahar ki jhalak... Main gate par Swarn Villa likha hua... ander uski pyari mom Priya Rajput apne pati Himanshu Rajput ke sath sofe par baithi hai... uske gode me pariwar ka sab se chhota sadasya yani ki unka pota Chirag Rajpur, apni dadi ke gode me baitha tha aur uski dadi pyar se usse seb khila rahi thi.

Samne se uski bahu Nandita Rajput apne hathon me chay ka tray liye aa rahi. Pahle apne saas sasur ko serve ki fir apne pati Ravi Rajput ki ore chay badha di. Pass me he uska ladla dever Avinash Rajput bhi baitha tha, usse bhi chay deti wo sab ke sath baith gayi....

Chay ki pahli chuski ke sath Papa Himanshu bole.... "Ab tak soyi he hui hai, ye bitte bhar ka bacha jaag gaya aur wo ladki ab tak so rahi hai"

Priya.... Jane do na ji, sone do. Kal der raat tak usne padhai ki hai....

Abhi..... Isliye kahta hun mom thoda bahut khud bhi padh liya karo. Aap ki ladli beti jasusi novel padh rahi thi... koi apne course ki kitab nahi padh rahi thi.

Priya.... Kuch bhi padh to rahi thi na. Wo nahi padhegi, nahi padhegi... shadi kar ke apne sasural jayegi, teri tarah to nahi hai... pura din apne awara doston ke sath ghumta hai aur bhar din mobile me laga rahta hai....

Nadita, hasti hui kahne lagi.... "Maa ji, dever ji ke mobile par to ladkiyon ke bhi phone aate hain"

Priya.... Kya ??? Dekha ji aapne... main shuru se kahti thi ye ladka kuch na krega gawn bhej do isse, wahin apna khet dekhega. Par iss ghar me meri koi sune tab na... dekhna kisi din kisi ladki ko bhaga le aayega to fir mujhe kuch mat kahna....

Abhi apni bhabhi ko ghurte huye dekhne laga.... tabhi bhai Ravi topic ko divert karte kahne lage.... "Bas bhi karo sab, yahan Jivisha ki baat ho rahi thi, aur tum sab Abhi ke pichhe he par gaye"....

Himanshu.... Ek minute tum sab jarra shant ho jao. Mujhe kuch jaruri baat kahni hai...

Sara pariwahe dhyan se Himanshu ki ore dekhne laga...... "Mere dost hai na Punya pratap singh, uska beta abhi-abhi foreign se lauta hai. Dikhne me smart hai, videsh se padh kar lauta hai, aur kuch din baad apne company ko chalayega.... Mujhe to Jivisha ke liye iss se achha rista kahin nahi milega... kya kahte ho tum sab".....

Pura pariwar "Haan-haan" kart charcha karne lage... tabhi chhotu ustad Chirag apni dadi ki gode se utar kar, chupke se apne bua ke kamre me chala aaya...

Jivisha, makhmal me bistar par, takiye ko apne sine se lagaye muskurati so rahi thi. Chirag ne idhar-udhar dekha aur mej par rakha pani ka jug utha kar Jivisha ke upar pani pura urrel diya....

Jivisha harbara kar uthi aur uth kar baith gayi. Dhime se ek aankh kholi aur samne Chirag.... "Chhoku, tujhe to main aaj batati hun"

Jivisha jhapat kar dauri, wo pure kamre me idhar udhar bhagta raha aur Jivisha uske pichhe-pichhe bhag rahi thi... tabhi Jivisha ne usse pakra aur pakar kar bistar par patak di... "Saitan kahin ka aise jagate hain"

Jivisha usse pakar kar gudgudi karne lagi.... "Bol fir karega aisa... bata"

Chirag.... Heee heee heee ... bua chhoro bhi... bua...

Jivisha.... Bua bol kar chidha raha ruk tujhe abhi batati hun ....

Jivisha uske naak par dant katne lagi.....

Chirag.... Di bolo to maa marti hai, bua kaho to aap gussa karti ho... bhagwan main karun to kya karun....

Jivisha.... Nalayak tum mera beta hai ki apni maa ka. Jo main bolungi wahi karna kisi ki mat saun'na....

Chirag... Thik hai di, ab mujhe chhoro warna aap he fasogi....

Jivisha.... Ohhh ! Ye emergency wake up tha kya...

Chirag apna sir hilate.... Haan di, ye emergency wake up tha.... mukhiya ji aap ki shadi tay kar rahe hain....

Jivisha.... Mukhiya ji ki itni himmat... chal tu mere sath... aaj inki family meeting ki to fis-fis...

Jivisha, bahar hall me aayi... tab tak inki family meeting chal rahi thi aur sab log khusiyan mana rahe the... kyonki un sab ki ore se ye rista pakka ho gaya tha.....
Jivisha ko aate dekh, Priya..... "Bare achhe samay par aayi hai, sun beta har ladki ko ek na ek din"...

Ek na ek din bar abhi baat chal he rahi thi ki Jivisha apni ek hath aage dikhati..... "Bas... to yahan mukhiya ji ke dekh rekh me puri panchyat bithayi gayi hai meri shadi ke liye. Lekin ek baat aap sab bhi sun lo, aur mukhiya ji khas kar aap... main abhi shadi karungi"

Himanshu... Par kyon beta, itna achha rista hai.. hum sab ko pasand hai, fir tu kyon inkaar kar rahi hai.. dekh hum sab tera bhala he chahte hain....

Abhi.... Ye na karne wali hai shadi kyonki ye to pahle se he apna bf pasand kar chuki hai... main shuru se kahta tha ki iska aur Videh ka koi chakkar chal raha tab kaun tha jo mujhe naroow minded kahta tha....

Jivisha apni bhawen sikori... muh chamkayi..... "Bhaiya main aap ka khun kar dungi. Papa dekha na kaise awara ladkon ke sath rah-rah kar inki soch bhi gandi ho gayi hai. Chhi, aisi baten... aaj ke baad iss gandi soch wale se mera rista khatam. Main tumhe ab rakhi bhi nahi bandhungi"...

Abhi... Kaun sa free me bandhti hai. Last time scooty li thi bhul gayi. Main he tha jo sab se lar kar tujhe scooty diya tha. Abhi tu mujhe he suna rahi hai. Papa aap ne jaisa socha hai waisa he hoga...

Jivisha.... Nahi, main abhi shadi nahi karungi... yadi jabardasti kiye to main aap sab par police case kar dungi....

Himanshu.... Sab chup... beta yadi Abhi jhoot kah raha hai, aur tu ne kisi ko pahle se pasand nahi kiya to baat kya hai inkaar ki....

Jivisha ke chehre par faili muskaan .... wo tahalti hui apni baat kahne lagi....

"Nahi mera koi bf nahi aur koi hoga bhi nahi... mera to prince charm aayega... Jab wo aayega to me ek ajib si khusbu hogi, mahol surmayi tarange bikherenge.... uska roop itna lubhawna hoga ki dil me utar jaye. Aur jab uss ko mujhe se pyar hoga to nile asmon me wo I Love You likh dega... Dekhna wo pure himmat ke sath, aap sab ki aankhon me aankhen dal kar, mujhe aap sab se magne aayega... Bas ussi ke intzar me hun, aur main ussi se shadi karungi".....

Idhar Jivisha apne sapney me khoyi apni dil ki baat pure pariwar ko bata rahi thi, aur udhar uski maa ka B.P high hota ja raha tha......
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update:-3



Idhar Jivisha apne sapney me khoyi apni dil ki baat pure pariwar ko bata rahi thi, aur udhar uski maa ka B.P high hota ja raha tha......


Jivisha jaise he apni baat kah kar aage mudi...... "chatakkkkk.... chatakkkkk" do thappad Jivisha ke gal par....


Pura ghar shocked.... Sab ke muh khule ke khule rah gaye..... butt ban kar jaise sab apni jagah khadey ho....


Himanshu.... Priya, bachon ko koi aise marta hai kya...


Priya.... Himmat to dekho iss ladki ki, sab ke samne kaise besharmon ki tarah kah rahi hai. Jarra bhi sharm na aayi isse. Suniye ji ye aap sab ke lad pyar ka natija hai. Ek he baat hogi yadi ye shadi na hui to main zahar kha lungi....


Himanshu.... Ye kya pagalpan hai Priya....


Jivisha action me aati.... "Bas mukhiya ji bas.... ab no argument... aap sab yahi chahte hain na ki main aap sab ki marji se shadi kar lun, to thik hai bajwaeye dhol, kar dijiye mere hath pile... meri khushi na mili to na sahi, aap sab ki khushiyon ke liye ji lungi"....


Aisa laga jaise background me abhi se he sahnaeyan baj gayi ho. Ghar wale sab khush. Jivisha sab ka chehra dekhti sochne lagi.....


"Kamal hai ye to, maine senty dialogue mare to kisi ne bhi ye na kaha, achha thik hai teri pasand se he shadi karenge. Meri baat ko ulta meri rajamandi samjh kar aise khush ho rahe jaise ladka abhi pass hota to abhi he shadi kara ke vida kar dete. Pagal, ullu, jhalli, barboli kahin ki... aur maar le dialogue"....


Ussi din ladkey aur ladki, dono ne ek dusre ko dekh kar pasand bhi kar liya. Agle din magni tay aur 10 din baad ki tarikh bhi pakki ho gayi.......



Raat ke waqt....


Chirag apni bua ke kamre me aaya aur uske gode me apna sir rakh kar so gaya.... Jivisha uske galon ke chumti puchhne lagi..... "Kya hua mere bache ko, aaj itna gumsum kyon hai"


Chirag, Jivisha ke gal par hath ferte kahne laga..... "Bahut gandi hai dadi, aap ko kitni jor se mara"


Jivisha.... Achha, tab tune kuch kaha kyon nahi, bas chup-chap dekhta raha...


Chirag.... Dadi thi na isliye chhor diya, koi aur hota to chir far deta...


Jivisha.... Basss, bahut badmas ho gaya hai. Yahi sikhaya hai kya maine tujhe...


Chirag.... Haan to, aap ko koi kuch karega to kya main chup rahunga...


Jivisha.... Maar khayega betu, kahi na bass... waise ye bata tu abhi yahan kya kar raha hai... sone nahi gaya.... fir koi presani hai kya...


Chirag..... Di aap kaise sab samjh jati ho....


Jivisha.... Tu to mera bacha hai, tujhe na samjhungi to kise samjhungi...


Chirag..... Di main mathmatics me fail ho gaya. Aaj to aap ke shadi ke baat ke karan bach gaya, lekin kal mamam mujhe mar degi... bacha lo please...


Jivisha.... Tu fail kaise ho gaya.... Fail hone wala to tu nahi tha. Kya karan hai tumhare fail hone ki.


Chirag.... Di tum bhi reason he puchogi, ya mujhe save karogi.


Jivisha, aakhen dikhate.... "Jaldi muh kholo"


Chirag.... Di wo meri gf fail hoti to uski maa bahut marti, aur uske pass to meri tarah pyari di bhi nahi jo usse save kar sake, isliye maine paper exchange kar diye. Bahut cute hai wo di, bilkul aap ki tarah.


Jivisha uss ki baat sun kar hasne lagi...... "Bitte bhar ka ho kar abhi se tere pass gf bhi hai"


Idhar Himanshu, subah hui ghatna par apni patni ko sunate huye kahna laga.... "Priya, Jivisha ko mari kyon".


Priya.... Aap ne nahi dekha kaise wo badh-chadh kar bol rahi thi...


Himanshu.... Bachi hai wo... apne armaan humare pass nahi kahegi to kya padosiyon ke pass kahegi. Aur kya burai hai yadi wo apne pasand ke ladkey se shadi karegi...Priya.... Aap ko to koi bhi baat galat he nahi lagti. Chadha lo usse sir par...


Humanshu.... Had hai, shadi ka matlab beti khush rahe jiske bhi sath rahe. Humara kaam to itna dekhna hai ki ladka wo chune ya hum, bas chunaw galat nahi ho... tabhi to bachi khush rahegi. Kya maa-baap se ladka pasand karne me galti nahi hoti...


Priya.... Haan thik hai samjh gayi, mujhe hath nahi uthana chahiye tha. Lekin mujhe bura laga to hath uth gaya. Gussa kyon nahi aayega aap batao. Aap ko to pata he hai na, Jivisha ke bare me, uski kundli, uski indriyan gyan aur uski alp aayu. Aap bhawnao me bah kar pahle bhi 5 shadi cancel kar chuke ho. Par iss baar nahi Himanshu... Jivisha ki slamati ke liye hume ye shadi kisi tarah karwani he hogi, fir chahe wo mane ya na mane.


Himanshu.... Maan to gayi hai wo, fir kyon itni paresan ho rahi ho....


Priya... Haan, maan gayi hai.... Natunki kar rahi hai nautanki, Jaroor wo apne dimag me kuch khichdi paka rahi hogi...


Humanshu.... Hahaha... to chalo uske dimag ki khichdi kha kar aate hain....


Himanshu aur Priya, dono ke kadam badh chale the Jivisha ke kamre ki ore. Dono jab uske gate par pahunche, tabhi Chirag aur Jivisha ki baten bhi shuru hui thi. Dada, dadi apne pote ki baat par hase bina rah nahi paye.....


Priya, hasti hui ander aayi.... "Ohh hoo, to Bua-Bhatije me ye khichdi pak rahi hai. Kyon re main gandi hun, ruk abhi teri maa ko main teri kartut batati hun".


Chirag jhat se apne dadi ke dono paun pakar kar...... "Nai, nai, nai... dadi please maa ko mat bolna. Janti to ho kitni khukhar hai wo. Main to bas didi ko khush karne ke liye aap ko aisa bol diya. Sachi.... baki aap to meri pyari dadi ho....


Himanshu.... Ha, ha, ha.... Chal ja ab so ja.


Chirag.... Kyon mukhiya ji iss baar Di se private panchayat karne aa gaye....


Jivisha, Chirag ko aankhen dikhati.... "Badmassss.... aisa bolte hain... chal bhag"


Priya.... Beta I am sorry. Gusse me mera hath uth gaya....


Jivisha, apne maa ke gale me dono hath dal kar usse hilati hui kahne lagi.... "Koi na maa, do aur maar lo, mujhe bilkul bura nahi laga. Par.. maaaaaa... ye shadi... please mujhe nahi karni na... fir bhi jabardasti sab kar diye. Kya main kisi ke sath bhagi ja rahi thi jo itni jaldi sab kuch tay kar diya...


Himanshu, Apni beti ke sir par hath ferte..... "Aaj na kal, shadi to karni he thi na. Waise ab bhi kuch na hua hai, tumhe agar ab bhi lagta hai ki hum jabardasti kar rahe to main Punya ko bol kar cancel kar deta hun ye rista. Par beta jarra soch... jaise ladkey ki tu talash kar rahi thi wo gun tere hone wale pati me bhi to ho sakta hai na.... sirf iss baat ke liye shadi se inkaar kar dena ki arrange marriage hai, jayaj to nahi"....


Jivisha...... Thoda bura lag raha tha ki aap ne meri feeling nahi suni, bas sab tay kar diya, lekin ab khush hun. Aap ki baat samjh me aa gaya papa, mera prince charm mera hone wala he hai... aur yadi waisa nahi hua to belan se maar-maar ke usse apne khawon ka sahzada bana dungi....


Shadi ke din.....


Sahnaeyan bajna shuru ho gayi thi. Din ke 2 baj kar 22 min ka subh muhrrat nikla tha... Pura ghar saza tha, har koi khush tha. Papa ki aankhen na jane aaj subah se he kyon nam thi... Chhote bhaiya Avinash jo hamesa khinchatani karte rahta tha, na jane usse aaj kya ho gaya tha... bas apni bahan se pyar he jata raha tha.


Maa shadi ki sari rashmon ko pura karne me lagi thi... Bare bhaiya aur bhabhi sare guest ka swagat aur unke dekhbhal me lage the. Ek achhe host ki tarah welcome karne me lage huye the... Mandap saja... barat aayi, Dulhe-Dulhan ki pahli jhalak sab ne jaymala stage par dekhi... Sab ke muh se ek he baat nikal rahi thi... "Kya jodi hai, made for each other"

Jaymala chal rahi thi, Jivisha ko sab upar uthaye the, uska hone wala dulha Shresh usse war-mala dalne ki kosis kar raha tha. Hansi-mazak ka mahol tha, tabhi Shresh ke mobile ki ghanti baji, aur uss ne pick kar ke usse baad me call karne ko kaha.


Kisi ko iss harkat se koi fark nahi para kyonki chhanik mamla tha, Shresh ne ek line msg diya aur uss mahol me ram gaya tha. Lekin ye baat Jivisha ne notice kar li....


Jaymale ke baad wo apne kamre me akeli baithi thi, idhar shadi ke mandap par tab tak rashmen nibhayi ja rahi thi.....


"Kya karun, kisi se kahungi ki ye ladka thik nahi to sab emotional drama karne lagenge. Fir itne sare ristedar, izzat-bejjati.... Bhag Jivisha bhag, itne jhamelon se achha hai ki abhi nikal le. Sab thoda naraj he honge na, koi na apne he ghar ke log hain mana lungi"


Idhar 2 baje pandit ji ne awaz laga di.... "dulhan ko le kar aaeye, vivah ka subh muhrat nikla ja raha hai"


Teen-char ladkiyan gayi Jivisha ke kamre tak, aur sabhi daurti hui wapas aa kar chillane lagi..... "Dulhan apne kamre me nahi hai, wo bhag gayi"......
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update:-4



Teen-char ladkiyan gayi Jivisha ke kamre tak, aur sabhi daurti hui wapas aa kar chillane lagi..... "Dulhan apne kamre me nahi hai, wo bhag gayi"......


Jivisha apne chhote se flashback ko yaad kar ke, niche baithi bas yahi soch rahi thi.... "Iss chipku se to jyada achha main uss chipku se he shadi kar leti, bhagwan sare twist aaj he de dena kal ke liye kuch mat chhorna"


Jivisha itna soch kar jaise he apne khyalon se bahar aayi, thik uske bagal me Nischal baitha tha...... Usse dekhte he Jivisha fir se thunakte huye jor-jor se rone lagi......


"Ab ye ladki ro kyon rahi hai, isse fir kya ho gaya. Mujhe yahan ki bhasha sikhni hogi, tabhi iss ladki se mujhe kuch fayda bhi milega..."


Nischal uske pass se utha aur ek side me chala gaya... high-tect yantr apne jeb se nikal kar uske wire apne sir ke dono side laga diya. Apne aankhen munda aur concentrate karte huye Serin.. Serin bar-barane laga..... Thodi he der me dusre ore se bhi respond hua....


Nischal..... Serin iss location ko trace karo aur yahan ki ajib si bhasha ko decode kar ke upload karo.

Serin.... Lightwave frequency to kafi dur ki lag rahi hai. Nischal tum itni dur pahunche kaise... aur yahan sab tumhe bhagode kyon kah rahe hain ?....


Nischal.... Jise jo kahna hai kahne do, mujhe kya karna hai. Tumhe jo kaha tum bas wahi karo....


Serin... Par Nischal...


Nischa.... Koi bahas nahi. Jitna kaha, utna chup-chap karo....


Jivisha ne jab rona shuru kiya, tabhi Nischal uth kar chala aaya. Usne jab aankhe kholi tab tak Nischal ja chuka tha.


"Thank god, jaan bachi... pahle he rone lagti to itna drama nahi hota. Ab jara main relax ho kar station se bahar niklun fir sochti hun aage kya karna hai"


Jivisha Kalyan junction ke bahar aayi. Raat andheri thi aur junction ke bahar ka mahol bhi kuch achha nahi, upar se ek akeli ladki jo dulhan ke vesh me upar se niche tak saji thi. Jivisha jab bahar nikli tab se he uska pichha hona shuru ho gaya.


Idhar Jivisha wahan se nikalte he sab se pahle kaam apna huliya badlne ka socha. Wahin najdiki ek mall me ghusi aur apna huliya change kiya, aur bahar aa gayi.... "Huliya to change kar liya ab jarra pet puja ho jaye to kuch sochun aage kya karna hai"


Mast khana khayi, khate-khate usse khyal aaya..... "Mumbai me rahi to fasna pakka hai, kyon na kuch dino ke liye apne dost ke pass Indore chala jaye, aakhir uss par mere itne ehsaan bhi hai"... Fir kya tha Jivisha jaldi se khana khatam ki aur wapas Kalyan junction bhi aa gayi.


Kismat, Kalyan junction par Indore jane wali train ka announcment bhi ho raha tha, Jivisha bhagi-bhagi train pakrne pahunch gayi. Lekin in sab ke bich usse pata bhi na chala ki usko lutne ki puri planning ban chuki hai, aur 5 gundey uske pichhe lage hain.


Idhar Saren se baat kar ke jab tak Nischal lauta, tab tak wo ja chuki thi. Afsos usse bahut hua, ek he to iss jagah par kisi se pahchan hui thi wo bhi kahin gum ho gayi. Nischal bhi Kalyan junction par tab se Jivisha ko he dhund raha tha....


Jivisha, Indore jane ke liye bhagi, bhagi train pakrne ja rahi thi, uske pichhe-pichhe wo sare gundey, aur unke pichhe Nischal. Sabhi sleeper class me pahunche.


Jivisa compartment ke ander pahla kadam he dali thi ki usse wahi lady mil gayi jo pichhli train me thi. Jivisha ko dekhte he wo.... "Arre beta tum bhi Indore ja rahi ho kya, aur tumhare husband kahan hai, nahi mila kya ?"


"Bhagwan, yahan log kitne fursat me hote hain, isse to sab yaad hai"...... Jivisha ajib si jabardasti wali hansi, hasti hui kahne lagi..... "Pata nahi aunty kahan chala gaya. Koi aisa bhi karta hai kya, batao ?"


Jivisha apni kahani suna he rahi thi ki samne Nischal aa kar khada ho gaya..... "Hey bhagwan, ab to lagta hai main train se kud he jaun".


Jivisha man me apna rona ro rahi thi, Nischal thik uske samne aa kar khada ho gaya..... Nischal ko samne khada dekh wo lady uss se puchhne lagi..... "Kaun ho tum, yahan aa kar kyon khadey ho gaye. Ye humari reserve berth hai"


"Ye naye log mujh se kuch kah raha hai, sayad memere bare me puchh rahe honge... main isse isharon me batata hun ki main aur ye, hum dono ek dusre ko jante hain"..... Nischal ne apna he solution nikala aur uss lady se "Muaahhh... muahhhh" ka ishara karte batane laga ki Jivisha ne usse kiss kiya... wo usse janta hai"...


Bas fir kya tha, wo lady ko laga yahi hai Jivisha ka pati. Fir kya tha uss lady ka pura khandan toot para uss par...... "Aisa koi karta hai kya... apni biwi ko koi chhor kar jata hai kya ... ye wo, bla-bla"...


Nischal chup sunta raha aur soch chuka tha, ab to kuch bhi ho jaye wo yahan se jayega nahi. Idhar Jivisha..... "Cool haan, to in logon ne ristedari bhi jor diya. Koi na main samjh gayi iss chipku se to ab Indore me he pichha chhutega. Jivisha beta go with flow, ab aur jyada yahan koi drama nahi".


Jivisha ne bhi sahmati dete huye, usse apna pati swikar kar li. Nischal ki harkaton ko bhanpte fir to Jivisha ne lambi chahuri kahani bana di...... "Mera pati bol aur sun nahi sakta. Ye mujhe bahut pyara lagta hai ye isliye maine iss se shadi kar li"


Baton ka daur lamba he chalta gaya aur Jivisha bhi puri kahani par kahani banati rahi. Nischa ko to kuch samjh me aane se raha, sab ko dekh wo bas apna sir he hilata raha.


Idhar wo sare chor ussi berth ke dayen-bayen unki baton ko sun rahe the. Pati gunga, patni ke pass lakhon ka maal.... kaam to pahle se aasan tha, ab bas sone ka intzar ho raha tha.


Raat ke takriban 3 baje wo chor active huye aur Jivisha ka sara maal lootne ki kosis karne me lag gaye. Bare he chaturai se usne Jivisha ka bag urraya, aur urra kar chain pulling kar ke train se bahg gaye....


Train se jab wo niche utar kar aapas me apni saflta par khush ho rahe the tabhi samne se unhe Nischal dikha.... Nischal ko dekh kar sabhi chaunk gaye..... "Abe tu to so raha tha yahan kya urri maar kar aaya"


Dusra aadmi.... "Tu bhi kahan gunge se baat kar raha hai. Ye sale... inka sixth sence kafi tej hota hai. Maar isse aur nikalte hain yahan se...


Sab ne marne par sahmati diya aur Nischal ki ore lapatne daure. Nischal ka dhyan to sirf uske hath me para Jivisha ke saman ke upar tha. Nischal ne kuch jyada mehnat nahi kiya. Wo log samne se aa rahe the, Nischal side se bhagta usse apne pichhe aane par majboor kiya... aur jab wo log Nischal ke pichhe bari teji se daur rahe the, tabhi wo ruk kar ek kadam pichhe hua aur jhappatta marta bag chhin kar fir se daur laga diya.


Nischal hui train me aaram se chadh gaya.... Jivisha aur baki sare log ab bhi so rahe the, Nischal me bhi apni jagah pakar li. Nischal Jivisha ko dekhte huye sochne laga.... "Kuch alag he khinchaw hai iss ladki me. Aakhir mera itna jhukaw kyon ho raha hai. Jo bhi ho Saren jaldi yahan ki bhasa decode kare fir dekhte hain ye kitne kaam aa sakti hai ye".


Raat ko fir sabhi mast nind lene lage. Agle din train Indore pahunchi... Jivisha rahat ki sans leti sochne lagi.... "Ab to iss family aur iss chipku dono se chhutkara milega"


Bhid puri utarne me lagi thi, Nischal aur wo family jab utarne ke liye aage badhe, Jivisha teji dikhati hui dusre gate se utar gayi..... dusre gate se jaise he utri, uski najar apne dost Nandita par gayi....


"Aahhh bahgwan, kal se le kar aaj tak me yahi ek sahi kaam kiye ho. Thank you"... Jivisha bhag kar Nandita ke pass pahunchi aur uska hath pakar kar khinchti hui usse bahar ki taraf le jane lagi.


Pune ka koi dost, yun achanak se Indore station par, na kuch kaha, na kuch suna... sidha hath khinchte huye bahar le jane lage..... Shocking...


Nandita, Jivisha ka hanth khinch kar roki..... "Duffer, ye sab kya hai"


Jivisha..... Time nahi mere pass raste me puri baat batati hun.


Nandita.... Yaar meri puri family issi train se utar rahi hai.... main unhe receive karne aayi hun. Pata nahi tere baat par kya reaction dun. Ruk main unko receive kar ke tere sath chaliti hun...


Jivisha, uska hanth khinchti..... "Wo kya bache hain jo station par gum ho jayenge... main yahan itni musibat me hun... itna samjh ki yadi usne mujhe dekh liya to main mari jaungi...
Nandita.... Kyaaaa ????


Jivisha, fir se uska hanth khinchti.... "Tu ye shocking expression baad me bhi sakti hai, abhi tu chal na please. Ye mere zindgi aur maut ka sawal hai"


Baat ki gahrai ko samjhte, Nandiya bhi uske sath teji se bahar ki ore nikli. Jivisha ko dilasha deti hui kahne lagi.... "Tu dar mat Indore me tujhe kisi baat ki chinta karne ki jaroorat nahi. Koi tere pichhe para hai ye baat tu phone par batati to ab tak uski band yahin baj jat",


Baat karte dono bahar aa gaye aur dono chal diye ghar ki traf. Raste me jab Jivisha ne apni puri kahani usse bayan ki to Nandita apna sir pit'ti kahne lagi.....


"Jisa teri to. Kamini kahin ki, jahil gawar ullu. Tere melodrama ke chakkar me tu to fasti he hai, dusron ko bhi shock de deti hai. Waise ek baat bata tujhe jaroorat kya thi usse kiss karne ki... itne bare station par kahin bhi kona pakar leti".


Jivisha... Nandu situation he aisi thi, wo log itne pass aa gaye the ki mujhe majbooran kiss karna para. Khair tum nahi samjhegi....


Dono baat karte huye ghar pahunch gaye. Un dono ko pahunche 5 min bhi nahi huye honge ki pichhe se Nadita ka pura pariwar pahunch gaya.... Jivisha ke aankhon ke samne wahi pariwar jo train me mili thi, aur unke sath tha Nischal bhi....


Unhe dekhte he Jivisha ke muh se nikal gaya...... "Hey bhagwan"
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update:-5



Unhe dekhte he Jivisha ke muh se nikal gaya...... "Hey bhagwan"


Jivisha ko dekhte he wo lady..... "Tum kya pagal ho, akal-wakal hai ki nahi. Khud to bhag jati ho aur kal se kah rahi ho mere pati kahin chale gaye hain. Tum kya isse chhor kar bhagna chahti ho, mamla kya hai batao. Do apne ghar walon ka number do, main un se baat kar ke tumhari harkaten batati hun. Pata nahi aaj kal ki ladkiyon ke dimag me kya chalte rahta hai".


Non stop wo lday bolti he rahi. Mamla sambhalte huye Nandita bol pari..... "Mom, stop it. Jo man me aaye wo bake ja rahi ho. Ye station par gum ho gayi thi, ro rahi thi isliye main isse yahan par le aayi. Aap to janti he ho, akeli ladki aur bara sahar".


Nandita ki Maa Durga devi..... "Tu jyada wakalat na kar, mujhe abhi iske ghar walon ka number chahiye, warna maim police me report karti hun. Mujhe kuch thik nahi lag raha, jaroor koi baat hai. Crime petrol nahi dekhti kya. Ghatnayen aise he hoti hain"....


"Ye mother india to kafi chalu india lagti hai, jhanse me nahi aane wali. Hey bahgwan bacha lo, kal se kewal fasa he rahe ho".


Nandita, apni maa par chillati...... "Mom tumhara dimag kharab ho gaya hai. Ye crime scenes dekh-dekh ke aap har kisi ko criminal he samjhne lagti ho. Main isse bahut pahle se janti hun... ruko 2 min...


Nandita apne college ka album nikalti apni maa ko dikhane lagi, jisme uski aur Jivisha ki tasveer thi. Uski maa har tasveer ko gaur se dekhne ke baad..... "Ye to samjh gayi ki ye teri dost hai, lekin tumhare har tasveer me ye ladka kaun hai"


Nandita, ghurti najron se Jivisha ko dekhi..... telepathy ke jariye jaise apna sandesh de rahi ho.... "Kamini tumhe bachane ke chakkar me main he na fas jaun, bhag yahan se"


Jivisha, minnat bhari najron se usse dekhti apne dono hath jor li... Kanchan ab bhi Nandita ko sawaliya najron se ghure ja rahi thi. Itne me nandita ka bhai bolne laga.... "Mom, college hain class me sath padhte honge. Inka apna group hoga.... chalo re sabha khatam karo. Sab safar se thak kar aaye hain jao sab fresh ho, khana khao... aaram se evening me baten karte hain".


Nandita ka bhai Ashis ne mamle ko rafa-dafa karte huye sab ko bhej diya. Nischal, wo to jaise tha he nahi. Ashish usse apne sath apne kamre me le gaya wahin fresh hone ke liye. Nischal batroom me gaya he hoga ki uska device bajne laga..... Serin ka msg tha...


Wo samjh gaya yahan ki bhasha decode ho gayi hai. Language aur iss jagah ki sari information uplaod ho rahi thi.... Takriban aadhe ghantey me puri jankari uploaded thi..... Nischal jaldi se fresh ho kar bahar nikla...


Idhar Jivisha, Nandita ke sath uske kamre me aa gayi...... "Kamini, to tu tab se meri he family ko pagal kah rahi thi. Tu bhag yahan se warna tere chakkar me main to pakka fasungi".


Jivisha..... Nandu, tu apni ekaluti dost ko bhaga rahi hai. Bhul gayi kitni madad ki thi tumhari maine. Meri sachi dosti ka aisa sila diya, mujhe he bhaga rahi hai....


Nandni.... Jisa jarra bataogi kis tarah ki madad ki thi mujh par. Main to aaj tak uss manhus ghadi ko kos rahi huh jab tu mujhe mili thi. Nahi chahiye tere jaise dost. Tujh se dosti se achha hai, main kisi kuyen me kud kar jaan de dun...


Jivisha..... Achhi baat hai Nandu, aaj mere bure waqt me tu bhi sath chhor de. Sach he kahte hain log, bure waqt me saya bhi sath chhor deta hai...


Nandni.... O madam ji, tujh par bura waqt nahi aata, balki tera sath jo deta hai uss par rahu, sani aur ketu teeno mandrane lagte hain. Bhul gayi ho to main yaad dila dun tumhe....


Jivisha.... Ye to sarasar ilzam hai my loard. Main to aap ki sachi sathi hun. Tu kya yaad dilayegi main batati hun... Bhul gayi jab wo ladkey aaye the tujhe chherne tab mere bhai ne tujhe bachaya gha. Wo professor wala case. Kitni jaldi bhul gayi tu uss Saroj ke chakkar se tujhe maine he nikala tha. Tere liya itna pain liya maine aur tu hai ki.... huhhhh !!!


Nandni.... Kya, kya, kya..... Sharm kar Jisa. Kaun se ladkey ke case me tere bhai ne mujhe bachaya tha. Ulta tera bhai mujh par line mamar raha tha, aur college ke doston ne dekh liya tha to tere bhai ne ulta usse pita. Huhhh ! Jab usse pata chala main teri dost hun to usne puri kahani he badal di. Professor ko challenge tune kiya, aur to aur mera Saroj se break-up bhi karwa diya... Teri to, ek to sare kand tune mere he sath kiye uspar se mujhe ehsaan jata rahi hai. Ruk tere ghar abhi phone karti hun.....


Jivisha.... Bas baba samjh gayi, ab chhoro bhi purani baton ko Nandu. Bhul gayi we are friends till the end of life.


Nandni.... Tere sath deti rahi to waise bhi meri life ka the end he ho jana hai. Chal bata tera ye drama ab aur kitne dino tak chalega...


Jivisha... What do you mean by drama Nandu...


Nandni.... Rahne de nautanki, teri ye bholi shurat aur jhoota expression kisi aur ko dikhana. 3 sal tujhe jhela hai, tere rag rag se wakif hun. Ab batayegi, tu yahan kitne din rahne wali hai taki main khud ko mentally prepare kar lun.


Jivisha.... Rahne de, lagta hai maine tujhe kuch jyada he paresan kiya hai. Sorry Nandu, manf kar dena. Lekin haan jo bhi ki na wo jaan bujh kar nahi ki thi. Rahne de yahan bhi meri wajah se tum kyon paresan hogi.... main aaj he chali jaungi...


Nandni.... Tu seriously aaj he ja rahi hai....


Jivisha.... Haan Nandu... chal ab tu happy ho ja...


Nandni ko laga Jivisha fir se emotional hone kar natak kar rahi hai, par Jivisha ab usse sach me paresan nahi karna chahti thi...


Iss baar Jivisha ne Nandni ko jarra bhi feel nahi hone diya ki wo uske ghar se ja rahi hai. Din ke waqt jab sab apne-apne kamron me the, Jivisha chupchap uss ghar se nikal gayi...


Thik ussi waqt Nischal, Ashis ke sath uske kamre me tha. Ashis apni gf se baat kar raha tha, aur Nischal khidki se bahar dekhte huye uski baat karne ka tarika samjh raha tha. Tabhi uski najar Jivisha par gayi, jo bari teji se bahar ki ore ja rahi thi.Nischal bhi uske pichhe-pichhe gaya. Jisvisha ghar se 10 kadam aage he gayi hogi ki uske samne Nischal khada tha...... "Ye bahar ghum raha tha.. pata nahi kaun se janam ka karj khayi hun jo ye pichha he nahi chhorta. Iss se to kuch kahna he bekar hai"


Jivisha achanak se he bol pari..... "Chalo mere kismat, kyonki tum se to kuch kahna he bekar hai"


Nischal.... Tum har waqt mujh se aise kyon baat karti ho...


Jivisha shocked..... "Tum bol bhi sakte ho"


Nischal.... Haan, main to bol bhi sakta hun, aur tumhe samjh bhi sakta hun...


Jivisha, chillati hui.... To fir mera pichha kyon kar rahe ho. Tum se kaha na wo kiss maine tum se majboori me kiya tha. Tum kahin ke prince nahi jo main ek he jhalak dekh kar tum par mar mitun aur kiss kar dun...


Nischal.... Tu chilla kyon rahi hai. Ja kar apne ghar me chillana. Mujh par chillane walon ka main awaz band kar deta hun...


Jivisha... Badtamij, baat karne ka tarika nahi pata kya ? Kaise tu tarake se baat kar raha. Mera chillana itna he bura lag raha hai bhago yahan se, kisne kaha meri awaz sun'ne ke liye. Jaan na pahchan main tera mehmaan. Kaminey tharki, tab se sab kuch samjh raha hai, fir bhi situation ka maza le raha hai.


Nischal, Jivisha ka gala dabate..... "Jyada unchi awaz me baat ki to fir kabhi baat karne ke layak nahi rahengi. Tum ho kaun jo main tumhe sunu.... tu bhag yahan se aur dobara kabhi apni shakal mat dikhana."


Cold war jaise dono me chhir gaya ho. Dono sadak par he jungli ki tarah karne lage. Fir kya tha wahin se dono ke raste alag aur dono chal diye alag-alag disha me. Kahani kismat ki bhi ajib hoti hai.... kismat ne milaya tha, apne jid aur pagalpan se alag huye.... Hay re kismat.....


Idhar ek din pahle jab Jivisha bhagi thi.....


Mate shree Priya ka ro-ro kar bura haal tha, aur wo Jivisha par puri tarah se gussayi hui thi. Ravi aur Avinash dono he Jivisha ke pichha karte Pune se Kalyan tak bhi aaye the, par Kalyan ke baad to jaise wo lapata ho gayi.


Ravi aur Avisnash apni family ka utra hua chehra dekh rahe the aur sage sambandhi dilasa dene ke sath-sath unke ghar me aag bhi laga raha the. Agle din saam ke waqt jab sare ristedar ja chuke the tab Himanshu apne pariwar ke sath apne dost Punya ke yahan pahuncha....


Apne dost se manfi mangte huye Himanshu kahne laga..... "Hume jarra bhi pata nahi tha ki Jivisha aisa kiuch karegi, warna main ye shadi kabhi fix nahi karta"


Shresh.... Uncle kya Jivisha ko koi aur ladka pasand tha kya ?...


Himanshu..... Nahi beta aisi baat nahi hai. Usse to bas abhi shadi nahi karna chahti thi....


Punya.... Had hai jab wo shadi nahi karna chah rahi thi, fir bhi uss bachi ke sath tum sab ne jabardasti kiya. Yaar jab nahi karna chahti to nahi karte, kyon itni jaldi thi tumhe shadi ki....

Priya, achanak he bol pari.... "Kisne kaha wo shadi nahi karna chahti. Shadi to karna chahti hai, par ajib sa bhoot sawar hai uss par, wo apne sapney ke rajkumar ka intzar kar rahi thai aur ussi se shadi karegi".


Shresh.... Ha ha ha, samjh gaya main. Ek baat bolun, aap log please uss par naraj mat hona. Ab to uski shadi uske rajkumar se he hogi, aur main banuga uske sapney ka rajkumar....


Himanshu.... Aaj mujhe mere faisle par garv ho raha hai. Thanks beta.... main to himmat he nahi juta pa raha tha yahan aane ki.


Shresh.... Koi baat nahi uncle, ab bas itna bata dijiye ki wo aap sab se chhip kar ja kahan sakti hai.


Himanshu.... Wo Mumbai ke taraf to gayi thi, lekin usse Mumbai bilkul pasand nahi, isliye wo wahan rukegi nahi. Pata nahi kahan gayi hogi. Uske jitne dost the sab se pata kar liya par kisi ko uske bare me kuch pata nahi....

Shresh..... Koi baat nahi uncle, yadi wo apna mobile chhor kar gayi hai to mujhe de do. Jivisha kahan ja sakti hai, main yun pata kar lunga...


Shresh ki iss baat par Chirag tapak se bol para..... "Meri bua ka mobile le kar jasusi karoge. Abhi to aap kah rahe the ki main banuga unka rajkumar... to jao apni rajkumari ko apne dum par dhundho. Bua ka mobile nahi milega.


Nandita, Chirag ko aakhen dikhati kahne lagi..... "Mobile deta hai lagaun ek chapet... chal mobile de abhi"


Chirag.... Chhota hun na sab hukum jhar lo. Abhi Di nahi to sab sher ban rahe ho. Aane do un ko fir hum dono mil kar aap sab ko batate hain....


Nandita.... Jyada natak nahi, chal de mobile abhi....


Chirag, apne hathon se mobile aage badhate..... "Lo, le lo mobile... aaj jit jao aap sab kal mera bhi waqt aayega".....


Shresh ke hathon me mobile thi.... Shresh mobile pura check karne ke baad..... "Iss phone me to koi deta he nahi, phone reset kiya gaya hai"


Nandita aankhen dikhati Chirag se kahne lagi..... "Ye jaroor teri he kartut hogi, chal ghar tujhe aaj main babati hun"


Chirag.... Mamma papa bagal me baithe hain. Ye papa wala dialogue mujhe kyon chipka rahi ho. Ab mobile me kuch nahi to uska bhi ilzam mujh par he laga do. Jarra bhi akal-wakal hai ki nahi, wo jaymala ke baad bhagi thi, to khud he reset kar ke jayegi hongi na. Watna unke phone ka to lock he nahi khulta...


Chirag ki baten sun kar Ravi aur Nandita aur wahan maujood sare log tahake laga kar hasne lage...


Himanshu.... Chalo chhoro bhi. Shresh, beta tum paresan na ho, hum dhund lenge ya koi khabar mili to tumhe turant inform kar denge. Ek baar fir se dhanywaad aap sab ka aur Jivisha abhi bachi hai, uske galti ke liye ek baar fir main manfi mangta.


Do char line ki aur dialoguebaji chalti rahi, fir sab log wahan se chalte bane. Jate-jate sab ko Shresh ne kaha... "Aap sab Jivisha ke bagne ko jyada seriously na le, hum sab mil kar dhundhege usse"....
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update:-6


After cold war :- Nischal aur Jivisha....

Dono alag-alag disha me nikal chuke the. Nischal jab Jivisha ko chhor kar aage badha to usse pata nahi kyon kuch achha nahi lag raha tha. Usse aisa laga jaise usne koi galti ki ho. Uske liye sayad zindgi me ye pahla ehsaas tha jab khud me wo kuch bura mehsus kar raha tha..... "Aakhir ye ladki hai kaun, kyon main aise khinch raha hun"


Khair Nischal bhi aage chal diya. Idhar Jivisha bhi alag rasta pakar li. Wo bas chalti hui yahi soch rahi thi ki uske wajah se Nandni ka break-up ho gaya. Kai sari padesaniyan uthani pari jab wo sath college me the.


Jivisha ko rah-rah kar ye feel ho raha tha. Tannnn.... jaise dimag ki batti jali ho. Turant cyber cafe me gayi aur fb account se Saroj ka number nikal layi.... Jivisha, Saroj ko call lagati hui....


Saroj.... Hello kaun..


Jivisha..... Main hun Jivisha...


Saroj.... Jivishaaa !!! Tumhari himmat kaise hui mujhe call karne ki. Rakh phone...


Jivisha.... Wait, wait, wait... call disconnect mat karna. Ek jaroori information deni hai...


Saroj.... Jaldi bolo... mere pass time nahi...

"Kamina, samne se call kari to kitna bhaw kha raha hai".......... Jivisha.... "Nandu ab bhi tumhe chahti hai, aur tumhare liye usne aaj mujh se jhagra bhi kiya. Sorry meri bachkana harkaton se tum dono alag ho gaye.


Saroj.... Hmmm ! Iss baat ka ehsaas tumhe tab hua hota. Kash uss waqt tumhari buddhi itni bharst na hoti to aaj humari ek pyari si duniya hoti.


Jivisha.... Bas ussi pyari si duniya ke khatir call ki hun. Nandu ki shadi kal tay hone wali hai. Tum fatafat Indore aa jao aur bacha lo apne pyar ko. Tumhare bina to wo mar jayegi....


Saroj.... Nahi aisa bilkul bhi nahi hoga. Tum fatafat adress likhwa do, main abhi Indore ke liye flight pakar raha hun.


Fir kya tha Jivisha ne Nandni ka adress likhwa diya, aur Saroj bhi Indore se mumbai ke liye turant rawana ho gaya..... "Hmmm !! Chalo jo bigara tha wo to sudhar diya, ab jarra main apne ghar ki bhi soch lun. Pata nahi wahan ka mamla kab tak sudhrega"...


Idhar Saam ko jab ghar me Nandni ne Jivisha ko dhundha to wo gayab thi. Nandni bahut jyada shocked thi, usse yakin nahi ho pa raha tha Jivisha bhi baton ko seriously lena sikh gayi hai. Usse rona aa gaya apni harkat par....


Wo apne kamre me baith kar ro rahi thi, tabhi uska bhai Ashis wahan aa pahuncha. Ashis ne Nandni ko rote dekh uss se puchh diya... Nandni ne bhi Jivisha ki tragedic story roti hui suna di, kaise wo ghar se bhagi, fir Kalyan station ka har wakya.....


Ashish, usse dilasa dete huye kahne laga.... "Koi baat nahi abhi jyada waqt nahi hua hai, chal, chal kar dhundhte hain sayad Jivisha ab bhi Indore me he ho."....


Dono nikal gaye dhudhne un dono ko. Idhar Jivisha aur Nischal dono he bhatkte-bhatkte pahunch chuke the bus stand par. Pichhe se pahuncha tha Nischal aur aage se Jivisha. Dono apne he dhun me chal rahe the...


Jisvisha ki wahi purani aadat, chal kahin aur rahi thi, dekh kahin aur... wahi haal Nischal ka bhi tha.... aur chalte huye fir se dono takra gaye...... Ek baar fir Jivisha jhul rahi thi Nischal ke bahon me, aur uske kamar me hath dale usse Nischal thame hua tha.....


Jivisha.... Ab aise he pakre rahoge ya main khadi ho jaun...


Nischal.... Pichhli baar to tumne mujhe kiss kiya tha, socha iss baar bhi na kahin kar do.


Jivisha..... Tum kyon mujhe itna paresan kar rahe ho. Kuch der pahle to kahe the ki tum meri shakal tak nahi dekhoge, aur aa gaye mera pichha karte-karte.


Nischal.... Tum ladkiyon ki problem kya hai, haan.... yahi baat main kahun to kaisa lagega... ki tum mera pichha kar rahi thi, main to apne raste tha...


Jivisha..... Tum itna akad kar mujh se kyon baat karte ho. Tumhe main pasand nahi aur mujhe tum, to baat he khatam karte hai na, baat badhane se kya fayda.


Nischal..... Mujhe aise he baat karni aati hai. Tumhe yadi problem hai to mujhe sikha do.
Jivisha..... Jab kah rahi hun ki baat badhane se koi fayada nahi, fir bhi jabardasti ka topic utha kar jabardasti lage pare ho. Main kyon tumhe kuch sikhaungi jungli. Wapas jao jis jungle se aaye ho. Chipku kahin ke, tum se to chillakar he baat karo to achha hai. Tabhi tum bhagoge.


Nischal.... Chilla kar to dekh, muh na tod dun tera...


Jivisha.... Sadak chhap kahin ke, bolne bhi nahi aata. Tamij he nahi ladkiyon se kaise baat karne ki.


Nischal.... Tujhe bahut tamij hai, isliye ladkon ki tarah chillati rahti hai. Tu ladki bhi hai kya ?


Jivisha.... Ab ek aur sabd bola to main tumhara khun pi jaungi....


Nischal.... Lagti he hai dayan ki tarah, tabhi to khun pine ki baat kar rahi ho... chudail kahin ki.


"Bas bahut hua band karo chuhe billi ki tarah ladna. Aise koi sadak par jhagra karta hai kya. Aur iss mahasay ki awaz kab aayi, koi pir baba ka chamtkar hua tha kya".


Jivisha.... Bahut bara nautnaki hai Nandu. Ye bol bhi sakta hai aur sun bhi sakta hai, fir bhi situation ka maza utha raha tha. Mujhe to ye koi bahut bara forud lagta hai.


Nischal.... Teri to, jo man me aaye bole ja rahi hai....


Itna kah kar Nischal ne to iss baar Jivisha ka collor he pakar liya. Sab shocked ho gaye... Public place upar se ye tamasa.... Ab to bhid ke sath-sath police bhi pahunchi wahan.


In dono ke jhagre me kai bus ruki pari thi. Sab ke nikalne ka time ho raha tha, par dono to uss jagah se hilne ka naam he nahi le rahe the. Upar se masaallah public, wo to chatkara maar kar iss jhagre ka luft utha rahe the.


Police bhid ko bhagati, dono ko apne sath le jane lagi. Ab to teeno ki he fat gayi.... Jivisha ne socha kahin police ne puchh-tachh aur I'D mangi to ghar par pata chal jayega... Jivisha turant he Nischal ke gale lagti, roni awaz me jor se chillane lagi....


"Hay daiyya, main lut gayi barbaad ho gayi... ek to mera pati mujhe chhor kar ja raha hai, upar se ye police wale, ye nahi ho raha ki mere pati ko samjhaye ki wo apni iss eklauti biwi ko chhor kar na jaye... to ulte hume he hawalat le jana chahte hain"


Bas fir kya tha, ladki ka rona dekh kar kai ladies ab Jivisha ke bachaw me aa gayi. Haan fark itna tha ki police se sari ladies sirf itna kah rahi tui ki... "aise patiyon ki hawalat me le ja kar dande maro".


Kaun uljhe ladies se. Police bhi dono ko wahan se bahar la kar harkane lagi.... "Ghar ke jhagre ghar me kyon nahi suljhate. Chalo, tum dono ki baat main police station me he sunuga"....


Ashis..... Arre sir, kahan aap inhe hawalat me le jaoge. Ab aap ki bhi to shadi hui he hogi, to aap samjh he sakte ho, in patniyon ke jid. Bas issi baat par dono ki bahas hui, aur mera dost ruth kar bhagne laga.


Police.... Kamal ka banda hai ye to. Sach me daring wala hai. Biwi se ruth kar ja raha tha aur biwi yahan tak aayi manane ke liye. Wow yaar, iski ek photo lene do, main subah saam iss daringbaaz ki tasveer dekhunga. Lekin fir bhi, public place me humgama kiya hai to thane to le jana he hoga...


Ashish, 500 ka ek note badhate kahne laga .... "Sir ab to public place par humgame ka matter solve ho jayega na"...


Police..... Nah, manhgai badh gayi hai, itne se kya hoga. Par iss ladkey ki daring ke karan main itne paise me matter close karta hun. Jao sab ke sab ab bhago yahan se.


Sabhi bina ruke nikle wahan se. Charon ghar pahunche.... Abhi to ab Nandni ki class shuru hone wali thi. Usse Jivisha ke iss tarah se chale jane ka pura hisab jo lena tha. Par abhi nahi. Abhi hall me mom dad the jo charo ko sath dekh puchhne me lag gaye..... "Ki charo ek sath kahan gaye the"
Iss sawal ke jawab me Nandni kuch bolti, uss se pahle he uske darwaja par knock hui.... Samne Saroj khara tha. Saroj ko dekh kar Nandni ki mano sasen he ruk gayi ho. Nandni shocked, ab ye yahan kaise tapak para. Nandni ki maa gate par khadey Saroj ko gaur se dekhti kahne lagi..... "Ye to wahi tasveer wala ladka hai"


Shock par shock.... Pune wale sare rahu-ketu ek sath ab Nandni ke ghar par the. Nandni lalat upar sikore, dono aakhen bari ki hui.... Jivisha ki taraf aise ghuri jaise wo abhi usse kha jayegi....


Idhar Nandni ki maa Durga devi Saroj ko gaur se dekhtey huye uske pahunch gayi.... Saroj ko ghurti hui kahne lagi.... "Tum Nandni ke sath padhte the na"


Nandni, Jivisha se fusfusate..... "Ye teri he harkat hai na duffer"


Jivisha, chhota sa muh banaye, haan me jor-jor se apna sir hila di. Mamala garbar hote dekh ek baar fir Jivisha ne dimag laga diya..... Teji se wo gate ke ore gayi aur Saroj ko dekh kar kahne lagi..... "Aunty ye mera bhai hai, aaj saam me jab baat hui to maine he isse bula liya"


Jivisha ki baat par Nandni ki maa kahne lagi...... "Tune saam ko bula liya aur ye urr kar yahan chala aaya. Tumhari koi gangue to nahi, jo ek-ek kar ke mere ghar pahunchoge aur loot kar nikal loge".

Jivisha.... Aap bhi na achha mazak kar leti hain aunty ji.

Durga Devi.... Nahi main bilkul mazak nahi kar rahu. Tu gori chitti hai, aur ye sawla. Dono kahin se bhi dekhne me bhai bahan nahi lagte. Kal jab main tasveeren dekh rahi thi, tab to tumne nahi kaha ki ye tera bhai hai. Kuch to mujh se chhipaya ja raha hai. Ashis... Ashis....


Ashis..... Kya hua, chilla kyon rahi ho...


Durga devi.... Ashis jarra in dono ko dekh kar bata to, kya sakal se dono bhai bahan lagte hain...


Ashis.... Ab isme bhai bahan nahi lagne jaisa kya hai. Sirf rang he nahi milta na, baki nain-naksh sab milte to hain. Choote mamu to kitne kale lagte hain, to kya wo aap ke bhai nahi.... Aur Jivisha ko maine he kaha tha isse bula lene bechari bahut miss kar rahi thi apne bhai ko.


Durga devi.... Mujhe sab garbar kyin lag raha hai. In dono ki shadi hui, aur pati-patni alag-alag the. Train me bhi iss ladki ko kai log dhundh rahe the, mujhe laga iski love marriage hui hai. Jab love marriage hui to ye apne bhai ko kaise bula sakti hai. Aur jab arrange marrige hui hai to ye dono bhag kyon rahe the.... Nah mujhe bilkul yakin nahi. Tum sab mile huye ho aur koi na koi khichdi pak jaroor rahi hai....


Ashis.... Haan khichdi pak rahi hai to aap usse pet bhar kar kha lo. Maa tum na budhape me sathiya gayi ho....


Durga devi.... Ab main he pagal ho gayi. Main he budhi ho gayi. Mujh par he chillayega....


Ashis.... Mom... mom... please do min, shanti se pahle baat sun lo... ye lo line par Jivisha ke papa hain...


Ashis ki baat sun kar sab shocked..... Idhar Nandni ki mom ne call pick kiya .... udhar se...


"Sorry bahan ji mere wajah se aap sab ko taklif hui. Darasal meri beti ki jo shadi hui hai usse humare backward samaj walon ne kabool nahi kiya, aur wo un dono ko mar dena chahte hain. Isliye majboori me mujhe un dono ko bhagana para. Maine suna ki aap mujh se kuch baat karna chah rahi thi".....


Durga devi.... Nahi bas aap ke faisle par mujhe bahut garv tha, isliye baat karne ka man ho gaya. Ek gunge-bahre ko aap ne apna jamai banaya, iss se bari insaniyan kya ho sakti hai.


Call disconnect aur Durga devi, Jivisha se hath jor kar manfi mangti hui kahne lagi....."Mujhe manf kar do beta, tum pahle se itni paresan thi aur maine tum par shaq kiya.... aao beta ander aao tum ab tak bahar kyon khare ho.... Jivisha beta tumhari shadi kal he hui hai na."Jivisha "Haan" me sir hilane lagi....


Durga devi..... Haan to thik hai tumhare shadi ke baad ki rashmen hum yahan puri karenge. Yun samjho ki tum bhi meri he beti jaisi ho. Nandni, Ashis... Hum bahar ja rahe hain shadi ke baad ki rashmen jo hoti hai usse pura karne ke liye pandit ji ko bulane... dhyan rahe tab tak ye dono sath na rahe....


Durga devi apne pati ke sath ussi waqt market chali jati hai... idhar ghar me...


Ashis.... Koi batayega ye tum logon ka kya naya natak chal raha hai.. Nandni enough, main kab tak tumhe save karta rahunga..... hamesa tumhari he problem tumhari he tragedy... tumhare karan mujhe ghar me 100 jhoot bolne parte hain.


Nandni.... My sweet bhaiya, ab ek he to bahan hai tumhari to kya mujhe nahi bachaoge to apni gf ko bachaoge. Aur meri ek he to dost hai, haan thodi pagal hai par uske liye 7 khun manf.


Ashis.... Aur in dono ladkon ka kya....


Saroj.... Mujhe to yahan Jivisha ne bulaya, kahi Nandni ki shadi tay ho rahi hai aur wo mere bina mar jayegi....


Ashis.... For your kind information Mr Saroj, Nandani ki shadi pahle se tay ho gayi hai, wo bhi ussi ke pasand ke ladkey se. Aur uske liye isne mujh se 100 tarah ke jhoot aur 200 tarah ke kukarm karwaye hain. Dusri baat ye ki tum ek bhai ke samne khade ho kar ye jata rahe ho ki tum uski bahan ko pasand karte ho. Tum ek reason batao ki main tumhara muh kyon na tod dun.


Jivisha, Ashish ki baten sunte he chupke se kadam badha kar wahan se khisakne lagi, tabhi wahan Ashis ki awaz gunji.... "Pichhe se aap kahan nikal rahi hain mohtarma"


Jivisha.... Maine socha aap ke aur Nandu ke bich baat chal rahi hai, bhala yahan mera kya kaam.


Nandni... Bhaiya, aap apna jarra sawal jabaw baad me karoge. Mujhe abhi thoda hisab kitab karna hai...


Ashis... Thik hai kar lo...


Nandni.... Jisa tu ghar se kyon gayi....


Jivisha.... Bas mujhe realise hua ki maine aaj tak tumhare liye kuch kiya nahi, ulte padesani khari karti aayi hun. Bas yahi soch kar chali gayi....


Nandni.... Jyada over smart ho gayi hai na... kuch bol diya mazak me to tere dil me chhed lag gaya.


Jivisha.... Bas baba sorry... ab to khush.. chal hans bhi de. Mujh se tu muh fula kar rahe ye mujhe achha nahi lagta....


Nandni.... Mera ego satisfy nahi hua, chal murgi ban fir mera ego satisfy hoga.


Jivisha charo ore najar ghumayi.... Ashis, Saroj, Nischal.. sab hall me he khadey the..... "Nandu, yahan sab ke samne"


Nandni.... Haan yahan, abhi... sab ke samne....


Jivisha.... Tu sach me serious hai....


Nandni.... Haan sach me serious hun, aur jis tarah se tune mera dil dukhaya hai, yadi murgi na bani to teri kasam main tere se baat nahi karungi.


Jivisha..... Huhh ! Aisa bhi kya ego... sab ke bich murgi ban'ne kah di... tumhe yahi achha lagega to yahi sahi...


Jivisha bhi tau me aati apne dono kaan pakar kar position me aane he wali thi ki tabhi Nandni ne usse roka..... "Bas baba, aur sorry jo tumhe uss waqt ulta bola aur abhi tumhe aisi saza di"


Jivisha.... Ab formality band bhi kar... aur mujhe ye bata ki teri shadi ho rahi aur tumne mujhe bataya bhi nahi....


Saroj, jo ab tak chup tha..... "Tum aise kaise kar sakti ho shadi, main tumhare liye he itni dur se aaya hun"


Ashish.... Tum dono ka bharat milap ho gaya ho to dono me se koi ye batayega ki ye ladka yahan kya kar raha hai....


Nandni, Jivisha ko aakhen dikhati.... "Ab tera ye kaun sa naya drama tha tu jarra samjhayegi. Subah tu aayi aur saam ko ye aa dhamka"


Jivisha.... Ab tune mujhe itna taunt kiya to mujhe laga mere wajah se tera pyar mujh se dur ho gaya, isliye maine Saroj ko call laga di. Kitna bhaw khaya ye jab maine isse call ki to. Lekin tere wajah se maine wo bhi sah liya....


Nandni apne hath jorti..... Sun meri maa aage se na tu meri yadi bhalai karna chahe to ek baar mujhe bata diya kar, ki main tere liye kuch achha karne ja rahi hun, taki main mentally prepare ho jaun ki mujh par koi bijli girne wali hai. Bhaiya iss namune ko kah do yahan se jaye.


Saroj.... Aisa to na kaho Nandni, tumhare liye main kitni dur se aaya hun.


Nandni.... Tumhe yahan aane ki jaroorat nahi thi Saroj, chup-chap wapas laut jao....


Saroj... Nandni ek baar meri baat to suno...


Ashis..... Suna na Nandni ne kya kaha, ab chup-chap bahar nikal jao....


Saroj.... Ye tum achha nahi kar rahi ho Nandni. Bilkul he galat ho raha hai....


Ashis usse ek thappad lagata...... Galat hai to galat he sahi, abhi tu nikal warna ab jute bhi parenge...


Saroj ko dhakke maar kar Ashis ne bahar kar diya. Nandni ke chehre par mayusi saaf najar aa rahi thi aur wo khud ke thake hone ka natak karti sidha sone chali gayi. Nischal bhi Ashis ke sath bahar nikal gaya, akeli bachi Jivisha...


Koi kaam nahi tha, tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi jungli janwar ke lagatar humle ki khabar thi, jisme do dino me do lashen mile.
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update:-7



Koi kaam nahi tha, tv on kar ke baith gayi.... Tv jaise he on ki wahan bhi khabren Pune se he aa rahi thi.... Pune me kisi jungli janwar ke lagatar humle ki khabar thi, jisme do dino me do lashen mile.


"Hey bhagwan ye Pune me ho kya raha hai, chirag ko phone kar ke samjha dun ki bahar bikul na nikle".


Jivisha, apne number par call lagayi, par kai baar call connect karne ke baad bhi call waiting he show hua..... "Ye chal kya raha hai, mera phone busy kyon aa raha"


Jivisha soch he rahi thi ki tabhi wapas udhar se call back hua.... Jivisha call pick kar ke bas shant rahi aur udhar ki awaz sun'ne ki kosis karne lagi. Tabhi udhar se Chirag ne "Hello" kaha...


Jivisha.... Chhote-khote, itne der se mera phone busy kyon aa raha tha...

Chirag... Chhoro na di biti baton ko, abhi to maine call lagaya na. Aap thik to hai na...


Jivisha.... Meri chhor pahle tu bakna suru kar ki kis se baat kar raha tha.


Chirag.... Aap bhi na jabardasti puchhti rahti ho. Phone busy hai to samjhna chahiye na main apni gf se baat kar raha tha.


Jivisha.... Haynnn ! Tu apni gf se baat kar raha tha. Uske pass bhi phone hai kya ?


Chirag.... Nahi di, uske pass phone nahi hai, par maine usse class me he bol diya tha ki main raat ko baat karunga, to wo apne papa ka phone maar kar le aayi.


Jivisha.... Dekh rahi hun, tu bahut bara ho gaya hai...


Chirag.... Di aap bhi kahan mere pyar ki dushman bani ho. Aakhir meri uss se shadi hogi to wo sewa aap ki he karegi na...


Jivisha.... Bas bahut hua. Sun dhyan se meri baat, Pune me koi janwar ka humla ho raha hai, isliye aaj se bilkul tera bahar nikalna band. Jab tak wo pakra nahi jata tu bahar nahi khelne jayega.


Chirag.... Ye kya baat hui, janawar bahar khule me ghumega aur main ghar me band...


Jivisha.... Mera pyara betu hai na, mera kaha nahi manega...


Chirag... Ok Di maan liya aap ka kahna. Waise aap jaroori baat to suno.


Jivisha... Haan, puchhne he wali thi, udhar ki khabar bata. Sab kaise hain. Mamma papa, bhaiya bhabhi aur chote bhaiya, sab kaise hain. Jyada paresan to nahi. Mere wajah se unhe kitni paresaniyan uthani pari hongi. Unka samna main kaise kar paungi.


Chirag..... Nahi to di, itni to baten yahan hui he nahi. Haan, dadi ka bata nahi sakta, sayad wo aap ko dekhe to aap ke baal pakar kar sut de wo alag baat hai. Idhar baki ke sare logon ko bas aap ki he fikr hai.


Jivisha.... Nahi re pagla, in mother india ko samjhna aasan nahi. Paresan wo bhi hongi. Khair tu wo sab jane de, aur jo boli hun wo karna. Apna aur sab ka khyal rakhna.


Chirag.... Di suno 2 min.


Jivisha.... Haan bol na...


Chirag.... Di wo hai na jin se aap ki shadi hone wali thi, wo aap ke sapno ke prince charm banege aise puri family ko kaha aur tab wo aap se shadi karenge...


Jivisha.... Chhor jane de usse. Usse jo ban'na hai bane, mere sapno ka prince charm jab mujhe milna hoga tab mil jayega.


Chirag.... Thik hai di. Aap aaram se kuch din wahin raho aur baat karte rahna, aap ki bahut yaad aati hai...


Jivisha.... Mujhe bhi tum sab ki bahut yaad aati hai. Rakhti hun phone, baad me baat karungi....



Ashis & Nischal... At walk....


Nischal ko le kar Ashis ghumne chala aaya tha. Ghumne kya aaya tha, usse to bas pata karna tha ki aakhir ye hai kaun. Usse bilkul bhi achha nahi lag raha tha ki koi anjaan ladka uske ghar me rahe. Rah-rah kar bas itna he khyal aa raha tha.... Kaun hai, kahan se aaya hai aur pata nahi ye humare ghar me rah kar kya gul khilayega.....


Ashis, Nischal ko le kar apne doston ke group me pahunch gaya. Jahan Sudeep, Ajit, Manjit aur Ankit tha. Ashis, Nischal ko sab se milwaya. Sab apna naam ke sath apna short bio-deta bhi bata rahe the.... Wo kahan rahte hain aur kya karte hain.


Sab log apni-apni kah kar Nischal se puchhne lage..... "Apne bare me bhi kuch batao dost".


Nischal..... Meri sirf itni kahani hai ki main ek anath hun. Mujhe waqt ne pala aur haalat ne bara kiya hai.


Ajit.... Fir bhi koi to pahchan hogi...


Nischal.... Pahchan kya kah sakte ho. Dekha jaye to kuch bhi nahi...


Manjit.... Paglon jab wo anath hai to pahchan kahan se layega. Jane do Nischal, tum ye batao kaun si jagah se aaye ho aur Mumbai kaise pahunch gaye.


Nischal.... Jise jahan pahuchna hota hai, phunch he jate hain. Mujhe yahan ke jaghon ke naam pata nahi. Bas yun samjh lo bhatakte-bhatakte pahunch gaya.


Asis, Nischal ko apni jagah par rukne ka bol kar sare dost thodi dur khadey ho gaye... Ashis sare doston ke samne sawal rakha..... "To doston ye batao ki iss ka kya kiya jaye. Ye to pura doubtful hai".


Ankit.... Arre ye to humari baat sun raha hai...


Sab chaunk kar Ankit ki ore dekhe.... Phir Nischal jahan khada tha wahan dekhne lage..... "Oye pagal, wo to wahin khada hai apni jagah, ab kya urr kar aa gaya yahan"


Ankit.... Nahi yaar wo abhi yahin khada tha...


Ashish... Khair jane do usse, bharam ho gaya hoga... to tum sab batao ab iss ka kya kiya jaye.


Sudeep... Karna kya hai, bhagao isse... ghar par bol dena ki ladka kahin bhag gaya.


Manjeet... Nahi to kah dena kahin gum ho gaya. Kuch bhi bahane bana dena situation ke hisab se par main kah raha hun ki ye khatrnak hai... isse bhagao.


"Oho, to anjaan aadmi ka bhay sata raha hai inhe. Koi nahi kosis kar lo main bhagne wala nahi. Filhaal to nahi, jab tak main iss jagah ko samjh na jaun. Jab tak ki mujhe meri khoyi chijen wapas nahi mil jata. Fir tum kaun aur main kaun"


Idhar sare log meeting kar ke sidha pahunche Nischal ke pass..... "Dekho Mr. Ab tak jo bhi hua wo mahaj ek ittifaq tha, lekin ab tumhe apne raste jana hoga".


Nischal.... Kyon, meri galti kya hai... sirf itna na ki meri koi pahchan nahi, aur tum sab mujhe nahi jante.


Ashis.... Dekho dost tum kuch bhi kah lo sau baat ka ek jabaw, tumhe jana hoga...


Nischal.... Aur yadi maine naa kaha to...


Ashis..... Na kaha to... fir jute maar kar bhaga denge...


Nischal.... Sochna bhi mat, tum char logon se to nahi he ho payega. Ek kaam karo tumhare jitne dost hain sab ko bulao aur ek kosis kar ke dekh lo. Yadi tum jute marne me kamyab ho gaye to main chala jaunga. Warna main Jivisha ke sath he rahne wala hun, wo mujhe bahut pasand hai aur usse main nahi chhor sakta.


Sudeep.... Bahut bolta hai, maro sale ko. Ye sale sadak chhap bina jute khaye baat nahi man'ne wala.


Sudeep ka itna kahna tha ki Manjeet aur Ankit badhe aage.... bechare kitna aage badhte... daurte rahe dono par Nischal hath nahi aaya. Kya speed me bhag raha tha. Nahi hath aaya Nischal anth me dono thak kar sab ke pass pahunch gaye.


Ankit.... Sala pakka ye chor hai, kitna tej bhagta hai. Olympic me bhage to jaroor gold madel jit layega.


Nischa.... Juban sambhal kar, main koi chor nahi. Ye tum sab ke liye achha hoga ki mera ego hurt na karo, warna main wo tandav karunga ki fir tum sab usse sah nahi paoge.


Ashis.... Stadium khula hai isliye na, abhi kisi gali me hota fir batate.


Nischal.... Kitni bari gali mile to mujhe pakar kar dikhaoge batao.... 2 fit chauri 8 fit lambi gali banao yahin. Yadi line se bahar gaya ya tum charo me se kisi ne mujhe pakar liya to main chala jaunga...


Ashis.... Rahne de bhai, main samjh gaya tu pakka veer hai. Par ye bata tu anjaan ladka hai, main tumhe apne ghar par kaise rahne dun.


Nischal..... Suno dost tumne bhai bola na, to bhai par viswas rakho. Tumhe kisi bhi waqt yadi aisa laga ki mere wajah se tumhe paresani hui to bata dena main ussi waqt chup-chap chala jaunga...


Manjeet, hafte huye.... Maan le iski baat, banda jab itna kah raha to ek baar bahrosa kar lete hain...



Idhar kamre me Nandita...


Saroj ko samne dekhte he uske purane dard samne aa gaye. Pariwar ke samne apni nam aankhen dikha to nahi sakti thi, par jab se kamre me ghusi uske aankhon ke aanshu tham he nahi rahe the.... Roti aankhon ke samne bhi kewal Saroj ka he chehra ghum raha tha.
 
Well-known member
1,167
1,335
143
Update:-8



Saroj ko samne dekhte he uske purane dard samne aa gaye. Pariwar ke samne apni nam aankhen dikha to nahi sakti thi, par jab se kamre me ghusi uske aankhon ke aanshu tham he nahi rahe the.... Roti aankhon ke samne bhi kewal Saroj ka he chehra ghum raha tha.


Nam aankhon se usse wo pahla manjar yaad aaya, jab wo BCA karne Indore se Pune vidyapith university ja rahi thi. Pahla din aur college ka gate.... Gate par ek pyara ladka hathon me full liye bas samne sadak par dekh raha tha.


Nandni jaise-jaise aage badh rahi thi, usse lagne laga tha ki wo ladka ussi ko dekh raha hai. Thoda sawla tha, par bilkul krishan-kanhaiya ki bhanti dil me utarta ja raha tha. Nandni badhti ja rahi thi, aur wo ladka wahan sankoch bas khada Nandni ko he dekhe ja raha tha.


Chehre par pasina aur mathe par sikan saaf bata rahe the ki wo kitna nurvous la raha tha. Nandni jab kuch duri par thi to uss ladkey ne bhi apne kadam Nandni ke ore badha diye. Nandni ke chehre par pyari si hansi aa gayi.


Wo muskurati bina uss par najar diye, aage badne lagi. Dono 10 inch ki duri par honge. Nandni samne dekhti aage badh rahi thi, tabhi wo ladka Nandni ko rokte huye.... "Ek min please"


Kafi ghabrayi si, bilkul dhime awaz nikli uski..... "Haan kahiye kya kaam hai"


Nandni itna kahne uski ore muri he thi ki wo ladka apne ghutno par baith gaya, aur ful aage badha kar.... "I Love You" kah diya.


Darasal wo ek raging thi jo Nandni bhanp gayi thi, fir bhi uski masoom si adaa bahut pyari thi. Uska ghabraya chehra kitna dilkas tha. Uss ladkey ki aankhen sukoon se tab band ho gayi, jab uss ladkey ke sir par Nandni hath ferte nikal gayi.


Ye pyar bhare pal ki surwat thi. Ye thi Nandni aur Saroj ki pahli mulakat. Nandni Bca karne aayi thi, aur Saroj wahan se Bba kar raha tha. Dono jab bhi ek dusre ko dekhte, najren ek dusre par he thehar jati, ander se ek gudguda ehsaas hota.


Class ke baad dono aksar canteen me mila karte the. Canteen ki mulakat dhire-dhire dono ko aur pass le aayi. Jab bhi ek dusre ke sath hote uss pal ka apna he alag ek suroor hota. Waqt bit raha tha, dekhte-dekhte 6 month bit gaye the aur first semester ka exam hua tha....


Exam, ye exam bhi koi aam exam nahi tha. Yahan hui thi Nandni aur Jivisha ki pahli mulakat. Nandni aur Jivisha dono ek sath ek bench par exam de rahe the. Dono padhne me masaalah ... 40-50% aa gaya to unke liye ummid se badh kar the.
Jivisha to aur bare wali case thi, badan me jagah-jagah parchi fasa kar aati thi. Exam shuru hua, sare student apne mata-pita ke investment proof dene me ji jaan se jute the. Wahin apni dono mahrani sab ke muh tak rahi thi....


Jivisha, fusfusati.... Aap ko pahla sawal ka answer aata hai kya ?


Nandni.... Sale ye exam wale, iss baar ka paper itna tough diye ki pakka back lagna hai. Pahla kya mujhe dusra, teesra, chautha.. koi sa bhi nahi aata...


Jivisha.... Ohhh ! Fir to bhagwan ne mujhe sahi jagah bithaya hai. Nice to meet you, main Jivisha hun.


Nandni.... Main Nandni. Aap bhi mere jaise, chalo koi to hai jo back lagne me sath dega.


Jivisha..... Back kyon lagega, main tumhe question 3 ka answer nikal kar deti hun, jab tak tum wo karo tab tak main pahla sawal karti hun.


Nandni.... Par kaise...


Jivisha apne hath dikhati .... "Wait".... idhar udhar dekhi aur pichhe hath le ja kar kamar se ek patli si book nikal li.


Achrya se bara sa muh khole Nandni.... "Puri kitab le aayi"


Jivisha.... Siiiiiiii, shant ho jao yaar....


Nandni.... Yaar pakre gaye to locha ho jayega...


Jivisha... Kaun sa padh kar pass ho rahe to jo pakre jane par fail ho jayenge....


Dono hasne lagi. Jivisha ungli ka ishara karti shant rahne kahi... Jivisha ne jaldi se do sawal ke answer fare, ek Nandni ko di, dusra khud likhne lagi. Fir answer exchange huye.


Dono sawal ke jabaw jab pure ho gaye tab ek baar fir Jivisha apne kamar se kitab nikali... Nandni hasti hui pichhne lagi.... "Jivisha, tum pichhe isse kahan chhipa leti ho"


Jivisha... Kyon tumhe nahi pata. Ohk tumhe yadi nahi pata to akele me full explanatory bata dungi...


Nandni.... Na baba, main lasbo nahi, rahne de manf kar.


Jivisha, aankh marti.... Hehe, to straight ho kar kitno ke armaan jagaye aur bujhaye...


Tabhi ek ladka utha kar.... "Maim ye dono baat kar rahi hain, mujhe distrub ho raha hai likhne me"


Maim.... Silent please. Ab yadi awaz nikli to tum dono ko class se bahar kar dungi...


Jivisha aur Nandni shant baithe. Idhar udhar fir se najar dene lagi. Chupke se fir do chit fari, ek answer Nandni ek answer Jivisha aur fir exchange.....


Dono ke exam mast gaye. Nandni chahkti hui class se nikli, aur nikalte he sidha Saroj se milne chal di. Jivisha ko thoda bura bhi laga tha, par Nandni ki iss harkat ko wo ignore karti apne ghar chali aayi....


Cheating karna ab to routein me tha. Nandni ko aisa shortcut mil gaya tha ki bacha-khucha padhai ki ikchha bhi hawa ho gayi. Par kahte hain na har chor kabhi na kabhi fasta to hai he...


4th paper wale din aisa hua ki dono ke seat bilkul aage ke bench par the, jahan se class ka gate shuru hota hai.... Nandni ke to pasine chalne lage....


Jivisha.... Nandu, sala ye college ka exam controller, usse kaha tha bich ki ya anth ki koi seat dena, kamine ne aage ki de diya...


Nandni.... Ab kya karenge...

Jivisha.... Fail to waise bhi hona hai, to kyon na chori karte huye fail ho. Yadi nahi pakre gaye to pass warna kaun sa apna nuksan hona hai...


Nandni.... Tujhe to politics me hona chahiye...


Jivisha.... Ruk to tu jarra aaj risky day hai, pahle ek kaam kar, dekh to koi question khud se solve hone wala hai ki nahi...


Nandni.... Mujh se do ho jayehnge.... par pura nahi...


Jivisha... Good, kaun kaun se....


Nandni ne question numbers bataye, aur Jivisha ne usse un sawalo ka jabaw far kar de diya, sath me samjhate hui kahi.... "jahan tak ho apne mann se likhna, baki thodi-thodi help cheat ki lena".


Bas fir kya tha karwan chal para, lekin 4th question jab dono cheat se solve kar rahe the, tabhi Nandni ki galti se dono pakre gaye.... sir ne aise ghura jaise class me koi terriorist ghusa hai... jab ki Nandni aur Jivisha yahi kahti rahi ki uska iss cheat se koi lena dena nahi....


Teacher ne internal officer bulaye, unlogon ne cheat ke pahle question ka answer milaya, fir verbaly dono se answer puchne lage, dono ne bata diya.... Fir kya tha.. exam continue....


Nandni jaise he bahar nikli waise he Jivisha ko jhuk kar kahne lagi.... "Aap mahan hai mate, aap ke charan asparsh karne ko dil kar raha hai".


Jivisha... Bas-bas, jyada he oblise karna hai to aaj apne uss bf ko chhor kar mere sath party karne chal...


Nandni.... Woooo, wo abhi unofficial hai. Kahin kisi ke sath set ho gaya to main kya karungi... Isliye usse pahle official hone de fir party done.


Jivisha.... Kya tu uss kariye ke liye itna sochti hai. Tu kahan gori chitti sexy girl hai. Uske sath to teri jodi black and white ki lagti hai... ulta bhaw tujhe khana chahiye to tu he mare ja rahi hai.


Nandni, mayus hoti.... "Mujhe bura laga jisa, kya duniya me colour he sirf mayne rakhta hai kya"...


Jivisha.... Tu bhi na, main to mazak kar rahi thi. Waise bahut bura laga ho to teri bala se. Mera haq hai uss se mazak karne ka main to kahungi he....


Nandni... Bas ho gaya na, ab main jaun...


Jivisha... Sun oye ladkiyon ke naam par kalank. Itna emotion achha nahi, thoda iss emotion ko kam kar achha rahega.


Nandni... Thik hai meri maa, aur kuch kahna hai to kah de ya main jaun...


Jivisha.... Thik hai ja, ji le apni jindgi....


Pyar, dosti aur college. Ek perfect life, perfect track par thi. Aur rahi baat routein track me masala bharne ki to uske liye Jivisha thi na jo apne pagalpanthi se mahol banaye rahti thi.



Par kahte hain na jo jitna jyada pyara hota hai, uske jane ka dard utna gahra hota hai. Pyar bhare in pal ki umr kam thi, aur akelepan ki ek gumnaam gumsum zindgi Nandni ka aage intzar kar rahi thi. Ek aisi zindgi jisme log, haste-bolte-nachte-gate-jhoomte rahte hai. Par satya to ye hota hai ki wo bhir me bhi khud ko tanha mehsus karte hain, aur apni tanhaeyon me bas rote rahte hain
 

Top