Romance Kaisa Ye...........Ishq Hai

Newbie
2
0
3
Update-01

-----------

Chandani raat mein chand apne poore shabaab par tha.har jagah chandarma apni khubsurati bikhere hua tha. raat ke kareeb 1 baj rahe they. sadkein puri tarah se veeran thi. bus beech beech mein siyar aur kutton ki bhowkney ki awazein is ghanghor sannate ko cheer rahi thi. sab log apni apni gharon mein so rahe they.



thodi deeer mein ek shaksh road par aata dikhayi diya. uski ek haath mein sharab ki bottle aur chal mein ladkhadhat is baat ka pramad tha ki wo shaksh is waqt pure nashey mein hai. thodi door chalney ke baad wo wahi road par dhaam se gir pada aur uske haathon mein sharab ki bottle door ja giri. wo fir uthney ki koshish karta aur fir dham se gir padta.



waha baitha ek fakir bahut deer se us shasksh ki sari gatividhiyon ko bade gaur se dekh raha tha. jab uske nahi raha gaya to wo uthkar us shaksh ke paas aaya aur dheere se uske kandhey par apna haath rakhkar uski aankhon mein dekhney laga. jab fakir ki nazar us shakhsh par padi to wo ek gehre vichar mein kho gaya aur lagbhag kuch deer tak aise hi khoya raha.



fir wo fakir use apne kandhon ka sahara dete hue wahi footpath ke kinare use baitha diya aur wahi rakha pani ka ek bottle use thamate hue bola.



fakir- beta ye lo pani pi lo shayad issey tumhein kuch raahat mil jaye.



wo shakhsh bade gaur se us fakir ko dekhne laga aur uske haath se pani ki bottle ko apne haathon mein lekar kuch cheetay apne chehre par maarney laga. thodi deer ke baad use kuch rahat mehsoos hui. ye sahksh aur koi nahin balki ek mashoor gangster aslam khan tha. jo is sehar ka sabse bada BHAI tha. uska naam sunker hi aachey aachey logon ki haalat kharab ho jati thi.



roz roz ka gundagardi, hafta wasooli aur maar peet yehi iska kaam tha. iska is sehar mein itna khauff tha ki koi issey galti se bhi ulajhna nahin chahta tha. jail to iske liye koi nahin baat nahin thi. har hafte ek baar to wahan ki sair kar hi liya karta tha.



umer kareeb 32 saal aur chehre par halki dadhi aur shareer kafi haata kaata tha. wo akela hi do teen aadmi ko aasanai se nipta sakta tha.



aslam- baba shukriya aapka. aab main chalta hoon. itna kehkar wo fir utha aur dham se fir wahi par gir pada.



fakir- thodi der aaraam kar lo beta. kuch nasha kum ho jaye to apne ghar chale jana. waise tum itnai raat ko is haalat mein yahan kya kar rahe ho.



aslam- jante ho baba ki tum kisse ye sawal pooch rahe ho. lagta hain ki tumhein nahin maloom ki main kaun hoon.



fakir thoda muskurate hua- main janta hoon. tumhara naam aslam khan hain aur tum yahan ke BHAI (gunda) ho. aur yahan par har jagah logon ke dilon mein tumhara khauff hain.



aslam- ye jante hue bhi tumne mujhe sahara diya. yahan par sab log to mujhe manate hain ki main is duniya se chala jawon. kya aapko marney se durr nahin lagta.



fakir- beta marna jeena to us upar wale ke haath mein hain. hum to bus uske banaye mohrey hain.aise anmol zindagi ko yu na barbaad karo.insaan ka jiwan buhat naseeb se milta hain.



aslam- mujhe ye sab baatein samajh nahin aati baba. main to bus janta hoon ki main is dharti par bojh hoon. aaj agar main murr bhi gaya to mere peechay koi nahin hain mere liye aansoon bahane wala. koi bhi nahin hain mera apna. kisi ko koi fark nahin padta main jiyon chahe maru.



fakir- aisa nahin kehte beta. ye zindagi anmol hain.



aslam- aaj pehli baar kisi ne mujhe beta kaha hain. nahin to sab mujhe harami aur gandi naali ka keeda kehkar bulate hain aur itna kehte kehte aslam ki aankhon mein aansoon aa jate hain..............



Aslam ka safar abhi continue hain...............
 
Newbie
2
0
3
Update-02

-------------



fakir- beta dil chota mat karo. upar wale par bharosa rakho. wo sab theek kar dega. uskey ghar mein deer hain andher nahin.



aslam apne aansoon pochta hain aur thodi deer aaram karne ke baad wo apne ghar ki ore chal padta hain. thodi deer mein wo ghar pahunch jata hain aur jakar apne ghar ke darwaje par dastak deta hain. uske abbu darwaza kolte hain. unka naam sulemaan khan tha aur wo is sehar ke bahut bade bussinessman they. aur aacha khasa rutba wale insaan they.



sulemaan- to aap aa gaye. sulemaan aslam ki ore gusse se dekhta hua bola. is kamine ne to naak mein dum kar rakha hain. na to humein chain se jeenay deta hain na hi marney deta hain. tere jaise aulaad se to be-aulaad hona thik hain.



aslam ghoor kar apne pitaji ko dekhta hain magar chup chaap wo apne kamrey mein chala jata hain. aur jakar wahi bed pae so jata hain.





sulemaan- dekh lena jitna is sehar mein mera rutba aur shaan-o-shaukhat hain sab ye kamina ek din mitti mein mila dega. main to is ladkey se ekdum thrust ho chuka hoon. samajh mein nahin aata ki iska aage kya hoga.



sulemaan ki biwi rukshana apne pati ke kandhey par haath rakhkar dilasa deti hain- khuda ne chaha to ek din sab kuch theek ho jayega.



sulemaan umra kareeb 55 saal chehre par ghani dadhi aur sir par nawabon wali topi.yehi inki pehchaan thi. aur pehnawa bhi salwaar suit tha. aur rukshana bhi kareeb 50 saal ki thi. aslam ka ek aur bhai tha naam tha salim. wo kareeb 27 saal ka naujwaan tha. aur apni padai isi sehar mein apne abba aur ammi ke paas rehkaar padta tha. aur apne aabbu ka haath bhi batata tha.



subah ke kareeb 8 baje jab aslam ki neend khulti hain to wo fresh hota hain aur fir roz ki tarah ghar se bahar nikal jata hain. aslma roz ki tarah cigretee sharab paan gutka sab nasha karta tha aur baat baat par kisi par bhi haath utha deta tha.



aisi hi wo apne doston ka intezaar kar raha tha ki ek gunda (bhiku) ke kuch aadmi aslam ko akela dekh lete hain aur wo turant apne boss yani ki bhiku ko bula lete hain. jab aslam ki nazar uspar padti hain to wo bhi bhikhu aur uskey aadmiyon ka samna karney ke liye taiyaar ho jata hain. magar wo 7 they aur aslam akela. bhala wo kab tak unlogon se akela mukabla karta. bhiku uskey peechay jata hain aur wahi rakha lakdi ka tukda uske sir par mar deta hain. aslam wahi farsh par gir jata hain. uske sir se khoon beney lagta hain aur thodi deer mein wo wahin behosh ho jata hain.



bhiku apne aadmiyon ke saath wahan se nikal jata hain. wahan par kaafi bheed jama ho jati hain magar koi bhi aage nahin aata. aur bhala koi aata bhi kaise aslam naam ka ye gunda se kisi ko koi dilchaspi nahin thi. aur yahan par sab log iskey khilaaf bhi to they. magar ek insaan wahan par aslam ka maseeha bankar aaya aur apni car mein bithakar usey nazdeek ke hospital mein lejakar usey admit karwa deta hain.



doctor- dekho mr. ye police case hain. hum isey bina police verification ke nahin rakh saktey.aap ya to is paper par police se likhwa laiye ya fir police ko yahan par bula lijiye. sanjay jhat se police thane jata hain aur kuch paise dekar ek police wale ko apne saath bula lata hain. thodi deer ke baad aslam ka ilaaz shuru ho jata hain. sir se kaafi khoon beh jane ki wajah se aslam kaafi deer tak yu hi bister par behosh rehta hain.



jo shakhsh aslam ko lekar aaya tha uska naam sanjay tha. aur wo yehi paas mein ek government employee tha. shayad wo aslam ko nahin janta tha magar sanjay ke ander insaniyaat koot koot kar bhari hui thi. thodi deer ke baad aslam ko hosh aata hain aur sanjay uske paas baitha milta hain.

sanjay- main apne office ja raha tha to bheed dekha. wahan par tum farsh par gire hue they aur tumhare sir se khoon beh raha tha. so main tumhein yahan par le aaya.



aslam- kyon bachaya mujhe. murr jane diya hota to aacha tha.

sanjay ko kuch samajh nahin aata aur wo hairat se aslam ko dekhney lagta hain.............................................

______________________________
 

Top