Romance Love with a Rapist - Ek Darinde se pyar (Completed)

Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Love with a Rapist - Ek Darinde se pyar




Intro:

Kaha jata hai ke pyar andha hota hai. Yeh bhi suna hai ke pyar par kissi kaa zor nahin chalta. Aur yeh bhi kehte hein ke Pyar na to jaat dekhti hai, na umar, na samaaj, na hi pyar ko kissi ka darr hota hai na khauf.

Pyar ko khuda kaha jata hai. To kehte hein jo pyar karta hai unn mein rab baste hein, aur jiss dil mein pyar na ho woh shaitaan ka ghar hota hai.
Ab sunne mein yeh bhi aya hai ke apne dushman se bhi pyar karo to dushmani bhi khatam ho jaati hai? Kiss had tak yeh sahi hai? Yeh wohi jaane jiss ne eisa kabhi kiya ho!

Kia ek ladki ko apne rapist se pyar ho sakta hai kabhi? Rapist yane balatkaari! Ek balatkaari se kissi ladki ko pyar ho sakta hai? Kia yeh mumkin hai?
Iss sawaal ka jawaab iss kahani mein aap ko ek eisi ladki se milegi jissko apne rapist se pyar hua. Magar keise aur kyun hua, halaat keise the, kiss ki haalaat kiss se judi hui thi, eisa kyun hua, rapist kaun tha, usski kia kahani thi, usska kia assar pada ladki par, aur ladki ki kia assar para rapist par….. Yeh sab kahani padhne ke dauraan aap sabko pata chalega.

Yeh Shayana aur Samir ki kahani hai. Inko haalaat ne kiss tarah milaya aur kaun si mod par kiss ko kiss se pyar hua kahani padhne ke baad aap ko pata chalega.
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 1. Shanaya

Shanaya ek bahot hi achchi ladki thi. Bahot hi khubsurat, masoom, magar padhi likhi, BA passed ladki thi. Usski nazrein hamesha zammen dekhti thi, woh kissi se baat karti thi to shayad hi kissi ko nazrein uthakar dekhti thi apnon ke ilawa. Usski paalan posan ek eise parivaar mein hui jiss se uss par bahot achchah assar pada aur woh bhi apne parivaaar wali jeise achchi, nek, hansmuk, khushnumah insaan baani. Ghussa kissko kehte hein ussko pata hi nahin tha. Uss ne kabhi bhi ghussa nahin kiya tha apni zindagi mein. Bachpan se sab kuch itna khushgawaar guzra ke 23 saal ki hone tak kabhi Shanaya ko ghussa nahin aaya kissi bhi baat par nah hi kissi se kabhi bhi. Apne maa baap se itna pyar mila, itne apnapan , maamta mili ke Shanaya ko zindagi se kabhi koyi bhi shikaayat nahin hui. Usski adaein, swabhaav eise the ke kissi ko bhi uss par pyar ajaae. Bahot sare ladke ne ussko paana chaha magar Shanaya ne kissi ko apne karib nahin ane diya kabhi. Han ekaat dost bane jinn dinon woh college jaya karti thi, woh bhi sirf tuition ke waqt ladke dost bane magar dosti se ziada kuch bhi nahin hua kabhi halaan ke unn ladkon mein se kayi ka dil Shanaya par aya magar Shanaya ne saaf alfazon mein keh diya ke dosti tak thik hai agar kissi ne bhi uss se ziada rishta banana chaha to woh uss se dosti tod degi. To uss darr se kissi ne kabhi ussko propose hi nahin kiya uss ko chahte hue bhi.

Apne ghar mein sab se badi thi woh, maa baap ki pehli aulaad thi. Usske baad ek chota bhai aur ek choti behen thi usske. Baap bank mein ek mulazim tha, maa house wife thi bachchon ki dekh bhaal aur ghar ki kaam kaaj karti thi, woh khud ek full time job thi ek house wife ke liye.

Bachpan se Shanaya ko sikhaya gaya tha ke ek vachan ko kabhi nahin todna chahiye kissi bhi keemat par. Shanaya ka papa bhi bahot hi nek insaan the aur usski maa bhi weisi hi achchi awrat thi. Kul mila ke inn donon ki hi chhabi thi Shanaya mein. Weise hi achchi aulaad bani woh jeise usske parents the. Kuch bhi ghalat nahin karte the kabhi iss parivaar ke log. Bilkool seedhe the aur sahi tarike se zindagi basar karte the. Apne papa ki pyari thi Shanaya. Aur chote bhai behen to jaan chidakte the Shanaya par. Maa ki enkhon ka tara thi woh.. Jab Shanaya 18 saal ki hui to shaadi ki maangein ane lage the. Magar Shanaya ne apne papa se kaha ke woh abhi shadi nahin karna chahti… Usski badi khwahish thi ke apne peyron par khade hokar kaam kare aur apne papa ko kuch saalon tak help karein chote bhai behnon ki studies ke liye. Papa bhi maan gaye aur ziada study karne diya Shanaya ko. BA pass ke baad jaldi naukri mil gayi Shanaya ko aur bahot hi khush thi woh ke apne papa ko help kar sakti thi har mahine salary apne papa ke hathon mein thamaa kar. Papa bilkool apni beti ki kamaayi nahin leta magar keise bhi karke Shanaya khud ghar ke financial maamlon mein khud contribute karne lagi. Papa ko sach mein bahot asaani hui.

Shanaya ziada bolti nahin thi. Khamosh kisam ki ladki thi. Han apne ladki doston ke beech baat cheet karti thi magar ziada tar weh log bolte aur Shanaya sunti ziada thi bolti kum. Jab koyi eise weise baat karti jo ussko passand nahin to Shanaya unn ke beech rehti hi nahin kissi koney mein akeli chali jaati thi.


Jiss muhaley mein woh rehti thi wahan ke sab log ussko behad passand karte the kyun ke woh bahot hi achchi ladki thi upar se bahot ziada khub surat uss par se seerat to ghazab ki thi hi. Naukri se wapas ane ke baad jahan bus stop se utarti thi to koyi 50/60 metres chalne ke baad apne ghar ko aati thi. Unn dawraan chalne se, beech mein do dukaanein aati thi, ek mechanical workshop, ek hair dresser ki dukaan, ek maternal bachon ka school aur ek Majid bhai ka dukaan jahan se Shanaya ki papa sab kuch kharidte the aur khud Shanaya bhi wahin se chizein leti thi. Majid bhai ki dukaan mein sab kuch milta tha kitchen ke samaan se lekar dress aur make up aur chudiyan, anguthi etc.


Shanaya itni khubsurat thi ke ussko makeup ki zaroorat to nahin padti thi phir bhi thoda bahot cream powder aur perfumes istemaal karti thi. Bilkool gore rang ki thi, baal bahot lambe aur khub surat the aur usski enkhen bahot khub surat the. Woh hamesha sar jhuka kar chalti thi. Usski enkhen unhi logon ko dikhte the jiss se woh sar utha kar enkhon mein enkhen milakar baat karti. Varna har kissi ko yeh chance nahin milta ke Shanaya ki enkhon ko dekh sake. Usski honth bina lipstick ke behad laal the. Sabse attractive baat thi usski muskurahat. Jaan lewa thi usski smile, woh jab muskurati thi to samajh lo koyi bhi fida ho jata tha aur ussko smile karte dekhne ke liye taraste the log…. Ek ajeeb si kashish thi usski muskurahat mein… lavzon mein bayaan karna namumkin hai usski muskurahat ko…. Lagta tha ek pari zameen par utri hui hai aur khuda ka karishma nazar ata tha usski smile mein…. Uss mohale ke ladkon mein se kuch ladkon ne Shanaya ke kareeb jane ki koshish zaroor kiye magar naakaam rahe. Baad mein wohi ladke usski izat karne lage kyunke sabko pata chal gaya ke Shanaya bahot alag kisam ki ladki hai koyi eisi weisi nahin.

Jab Majid bhai ke dukaan ke paas se guzarti to har sham ko Majid bhai kehta “Shanaya beta kuch nahin chahiye? Din thik se guzra nah?” Aur har sham ko Shanaya Majid bhai ke dukaan ke paas aate aate khud sar uthakar usske taraf muskurate hue dekhti aur jawaab deti. Aur agar kuch samaan leni ho to andar jaati lene ke liye. Kabhi apne liye kuch leti to kabhi apne bhai aur behen ke liye kuch snacks ya mithaiyan kharidti thi. Shanaya ke liye Majid bhai hamesha discount deta tha kissi bhi samaan kharidne par. Who bachpan se apne papa ke saath Majid bhai ke dukaan par jaati thi to Majid bhai se achchah pehchaan tha. Majid bhai Shanaya ke papa ka hum umar tha aur Shanaya ko apni beti ki tarah dekhta tha, balke kabhi kabhaar Shanaya aur Majid bhai ki beti Zarina ek dusre ke yahan jaate time pass karne ko. To Zarina aur Shanaya dost the.

Ek din jab Shanaya Majid bhai ki dukaan par pohunchne hi wali thi usski mobile baji, dekha to Zarina ki call aa rahi thi. Zarina ne kaha, “Sun sun agar tum mere papa ke dukaan ke paas reach ho gayi ho to uss ko mat batana ke mera call hai, aur mere bare mein pooche to bolna ke tum mujhse nahin mili, main apne boyfriend ke saath hoon late aungi bye!!”

Shanaya Zarina se sheher mein mili thi uss din, aur ussko pata bhi nahin tha ke sham tak who wapas nahin aayi hai. Ab udhar Zarina ko pata tha ke uss waqt Shanaya usske papa ke dukaan se guzarti hai aur usska baap Shanaya se baat cheet ke dauraan usske bare mein pooch sakti hai, issi liye Zarina ne socha ke kahin who bata nah de ke who suu se mili thi, to phone karke ussne mana kar diya batane ko…..

Ab eise batein kia Shanaya par koyi assar karti thi? Kia Shanaya jab dekhti thi ke har usske friends ke boyfriends hein, to ussko kuch kami mehsoos hoti thi? Nahin bilkool nahin. Shanaya na to heyraan thi ke Zarina eisa keise kar sakti hai apne papa ko dhoka dete hue, aur nah hi Shanaya ko koyi taajub hui ke Zarina apne boyfriend ke saath hai. Shanaya uss phool ki tarah thi jo keechad ke beech rehkar bhi apne aap ko behtareen rakhe aur sambhaale hue the. Uss par kissi bhi modern activities, ya society ki naye chizon ka prabhaav nahin padta tha. Woh jeisi thi apne aap mein bahot khush thi aur weise hi rehna passand karti thi. Usski apne usool, apne tarike the zindagi jeene ke liye.

Kaam ek bade software company mein karti thi magar ek simple administrative clerical job thi. Aur woh uss se khush thi.

Pure ek saal tak kaam kar liya uss company mein, agle saal salary mein increments bhi mil gayi, aur promote bhi ho gayi chief clerk tak. Usski khushion ka inteha na tha. Ghar aakar apne parivaar ke saath apni khushion ko banti thi mithaayon ke saath. Majid bhai ko bhi bata diya. Aur ek do logon se baat hui raaste mein unnko bhi khush khabri de diya Shanaya ne. 24 saal ki hone ko aayi aur ab baat usski shaadi ki phir se hone lagi. Magar Shanaya ne phir inkaar kiya aur rone bhi lagi apne papa se yeh kehte hue ke aaj ki daur mein yeh shadi karne ki umar nahin hai! Woh aur kaam karna chahti hai aur shadi ke bare mein baad mein sochegi. Baap ne zor nahin diya aur jinn logon ne shadi ki prastaav bheje the unnko inkaar kar diya.


To be continued…………….
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 2. Samir

Samir!! Isske bare mein kahan se shuru karun samajh mein nahin araha hai - ya to flash back mein isski zindagi ke bare mein likhun ya on the spot yehi mushkil lag raha hai….khair dekhte hein kia banta hai….

Weise dosto aap sabko ek baat bata dun ke main ne iss kahani ko direct rape se shuru karna chaha tha. Rape se start karta pehla update; phir flash back mein kahani ko age badhaata….. phir mujhe laga ke Shanaya ki character ko sab se pehle post karna behtar hoga taake aap sabko usski bare mein bata dun…. Behrehaal chalo ab Samir ke bare mein jaan lete hein…….


Samir ek handsome nawjawaan tha. Thoda sa sanwla rang ka, 6 feet 1 inch ka kad, chawda seena, thoda sa body building kiya hua tha iss liye Tshirt par usski muscles dikhte the. Samir ka smile bhi jaan lewa tha ladkiyon ke liye. Iss liye ke sanwla tha, usski smile se usske khubsurat ujle dant usski muskurahat par chaar chand lagata tha. Ladkiyan fida hote the usske bhi smile par. Magar kia Samir ladkiyon mein interested tha?..... Abhi, Matlab rape se pehle Samir 29 years ka hai. Magar kahani yahan nahi shuru hoti, kahani tab se start hui jab Samir 20 saal ka tha. Ab jabki Shanaya 23 ki hai aur Samir 29 ki to sochlo jab Samir 20 ka tha tab Shanaya kitni ki thi…. (smily) ….. Magar tab to na Samir ussko janta tha aur na Shanaya Samir ko.

Samir 20 saal ka tha tabhi se police mein bharti hona chahta tha. Normal police nahin kissi special branch mein hona chahta tha woh. Us waqt patla sa tha, aur issi liye body building shuru kiya tha tabhi. Aur taqdeer achchi thi ke Police department mein recruitment chalne ki news aayi aur jhat se apply kiya Samir ne. kuch mahinon tak besabri se intezaar karne ke baad doston mein baat chit chal rahi thi Samir ki. Bahot sare dost the usske har nawjawanon ki tarah. Ziada tarr kiss bare mein batein hoti thi? Chalo hum bhi innke vaar taalaab sunte hein……

Dost: “Abe sunna tumne uss Kavita ki kia hua?”

Samir: “Are gaand maar yaar sab ek jeise hote hein aaj kal ki ladkiyan!”

Dusra dost: “Sala kissi ne kabhi socha nahin tha ke Kavita eisi niklegi! Dhat teri ki!”

Teesra dost: “Abe mujhe agar pata hota to main hi chod deta ussko!!”

Samir: “Dosto main hamesha se kehta aya hoon ke aaj kal ki ladkiyon ka koyi bharosa nahin! Sab randi hein! Choti si umar mein sabko boyfriends paalne ka shauk hein, sab chumma chaati karte hein college jaate waqt aur baaghiche mein chudaayi karte hein chote se hi!! To Kavita bhi veisi hi nikli nah aakhir! Saala 15/16 saal ki ladkiyan apne apne boyfriends ke saath kissi na kissi kone mein kia kia karte rehte hein college khatam hone ke baad sabko pata hai!!”

Pehla dost: “Are Samir to kia hum logon ko achchi ladki nahin milegi shaadi ke liye? Sab phate hue choot milega kia humko? Hahahaha!!”

Dusra dost: “isski maa ki!!! Sala mujhe agar ek virgin nahin mili to suhaag raat ke raat ko hi wapas bhej dunga saali ko!!”

Teesra dost: “Abe kia bakta hai nahin kar paega, humbistar hone ke baad sab bhool jaega, itna maza aega ke ussko chorrna nahin chaega!! Choot ki maja miljaega to dekhna!!”

Samir: Yaar pehle pata to chale ke ladki kunwari (virgin) hai ke nahin? Keise pata chalega ke usski boyfriends nahin the? Kia woh bataegi tunmko? Sala aaj kal jo hostel mein rehne jaate hein ghar se 100 kilometres door woh to khub maja karte hein boyfriends ke saath, khub chudayi kar lete hein fir ladke se kehte hein, ‘hum dost reh sakte hein mere gharwalon ne mere liye ladka dekh liya hai shaadi ke liye main inkaar nahin kar sakti apne parents ko!!... madarchod Sali chudayi boyfriends se aur shaadi maa baap ki passand kiye ladke ke saath randi saali savitri bante hein!!”

Ek aur dost: “Magar Samir yaar, sab ladkiyan to ek jeise nahin hote…. Kayi baar to maamla ulta hota hai, kitne ladkon ne dhoka diye ladkiyon ko yeh keh kar ke unn ke ghar walon ne unn ke liye ek achchi ladki dekh liya hai shaadi ke liye aur woh sheher mein kissi aur ladki ke saath ratein bitata tha aur uss ladki ko chorr kar maa baap ki passand ki gayi ladki ke saath shaadi karne chala jaata hai!! Yeh bhi to hota hai nah?!”

Samir: “han han!! Magar main ladkiyon ke bare mein baat kar raha hoon nah!”

Pehla dost: “Yaro kia tum mein se kissi ne kabhi socha tha ke Kavita jeisi shushil ladki iss chhoti si umar mein bina shadi kiye pregnant hogi? Kitna chudwayi ussne iss umar mein!!”

Samir: Kyun sirf Kavita yaad hai tumhein? Uss ladki ko bhool gayi jissko Tamer pyar karta tha? Woh bhi to kissi aur se chudwa rahi thi mahinon se? Aur kunal bhai ki patni yaad nahin? Shaadi ke 3 mahine baad pata chala ke woh chudwa rahi hai ek padosi ke bête se? Aur bhaag gayi usske saath? Aur Rajni yaad nahin jissne apne dewar se chudaayi kiye the aur pakre jane par rape ka case lagaya tha devar par? Kitne eise case hai yaaro?!! Mujhe to bilkool bharosa nahin aaj kal ke ladkiyon par, sala jahan dekho sab chudwa rahe hein bina shadi ke! Sab randiyan hein sab ke sab!! Thoooooo!!!”

Dusra dost : Hahaahahaha!! Thook kyun raha hai tumko bhi to maja aega chodte waqt Samir!!”

Samir: “Mujhe koyi shawk nahin eisi weisi ladki ke saath sex karne ki! Mera haath kaafi hai!”

Pehla dost: “To kia tu kabhi shaadi nahin karega kia? Shadi ke baad nahin chodega tu? Ya tu thik nahin hai be?!!”

Samir: “Abe gaand band kar! Kia thik nahin hoon!! Shaadi? Kia shaadi? Kia guarantee hai ke jiss se shaadi hogi woh sati savitri hogi? Kia pata ussne bhi inn logon ke jeise chudaayi kar liya ho pehle se hi?”

Teesra dost: “Are Samir yeh to bata tu shadi karega ke nahin?”

Samir: “Abhi nahin! Abhi to police mein mujhe bahot kuch karna hai, main jo banna chahta hoon woh ban jaun tab sochunga…. Woh bhi aaj kal ki ladkiyon mein ek mere choice ki dhundna asaan baat nahin hai….”

Dusra dost: “Matlab tab tak tu haath se polish karta rahega hahaahahaha!!”

Samir: “Jo samajhna hai samajh tu, magar main kissi call girl ya prostitute ke paas kabhi nahin jane wala chahe kuch bhi ho jae!”

Iss conversation se yeh to pata chal gaya ke Samir ke kia khayaalaat the jab woh 20 saal ka tha tab!! Magar phir kia hua? 20 saal se lekar 29th year tak pohunchne mein kia kia hua usske zindagi mein? Ek jhalak dekhte hein……

Police ke special force mein daakhila hua usska. Ek squad tha jisska naam tha “Special Intervention Squad” Wahan bahot hi kadak kissam se training hote the. Bahot sare recruits bhaag gaye! 60 recruit hue the 1 mahine ke baad Samir ke saath sirf 15 bache training continue karne ke liye! Har roz bhaagna, swimming karna, drills karna, underground khude hue zameen ke niche ghanton bhar bina khae piye rehna, pistol aur bade bandook se firing drills karna, bandook ko bazuwon mein upar uthaa kar long distance bhaagna bina ruke….. group agar ek ne ghalati kiye to pure group ko punishment milna… aksar dusron ki vajah se Samir ko bhi punishment milta tha. Kyun ke woh uss group mein the jiss mein kiss dusre ne ghalati kiye! Har exercise mein Samir excel karta tha. Superiors ke nazar hamesha Samir par rehte the. Reports mein Samir awwal tha. Har dusre superiors ko khabar mil gayi thi ke new recruits mein ek Samir naam ka nawjawaan sabse behtar hai. Usse kissi tarah ka mushkil se mushkil task diya jae woh bina kissi ghalati ke pura karta tha.

Kuch eise superiors bhi the jo jaan boojh kar Samir se sab se ziada kathin task karwate the yeh dekhne ke liye ke who kiss kaabil hai. Superiors bahot khush hoye the jab Samir sab sahi karke paas hote the.

Jangalon mein hafte bhar bina khana pina group ko chorr diya jata tha. Zameen se khana nikalna, kissi bhi jaanwar ko maarke khana, khud pakana, zameen se roots ukhaad kar khana.. yeh sab kiya tha Samnir ne!

Aakhir mein Comandos ka selection hua aur Samir ko first Comando chuna gaya!! Usske baad aur kathin tasks aur exercises start hui! Tab tak Samir 21 saal ka ho gaya tha.


To be continued……………….
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 3. Tough training continues

Bhaot ziada kadak training, raaton ko jaagna, daraawne jagaon par raat guzaarna, bina khana pina rehna, pahaadon par din kaatna kade dhoop mein, itna kuch sehna par raha tha ke unn baaki recruits mein se bhi kayi aur bhaag gaye. Kuch superior trainers bilkool jalaad lagte the, eise eise tasks diya karte the jeise ke yeh sab recruits nahin mujrim ho! Aapas mein jab sab recruits batein karte the kabhi kabhaar to unn superiors ko jalaad hi bulaate the. Inn naye jawaanon ko bahot ghussa ata tha aur mann karta tha ke unn trainers ko pakar kar maarein! Magar assal mein weh jalaad nahin the. Naye recruits ko mazboot aur kadak banane ke liye yeh sab kuch karna zaroori tha. Superiors ka kaam tha unn ko uss tarah ki training dena.

Aur kabhi kabhi special intervention unit ke saath kissi case par ya khatarnaak mujrimon ko pakadna hota tha to innko uss unit ke saath bheja jata tha seekhne ke liye ke keise kia kiya jaata hai. Yeh new recruits supporting unit ke naam se jaate the. Bilkool soldiers ki tarah posaak pehne, sar par helmet, haath mein sniper, kamar mein pistol, chaku, hand grenades aur peeth par ek bada sa basta lade hue. Inn sab ke saath dawdna padta tha aur kabhi mujrim ke peeche paagal kutte ki tarah bhaagna padta tha. Golion ki barsaat bhi hote the aur kabhi kabhi yeh log ghayal bhi hote the.

Aur jab mahine bhar baahar training ke baad unit par aate the to bus 24 ghate ki rest milti thi. 9 dost ban gaye the Samir ke. Sab Comandos ki training par the. Ab unit mein, raat ko sab so rahe hote the to achaanak raat ke 2/3 baje unn ko jagaya jaata tha aur uss waqt training kiye jaate the. Yeh sab jaan boojh kar kiya jata tha unn sabko mazboot banane ke liye. Bilkool chain nahin tha. Araam nahin ta bus training, training aur training! Samir khamosh rehta tha magar andar hi andar sab kuch bina kuch bole seh raha tha kyunke usski manzil aur thi. Woh sab se best Comando banna chahta tha kissi bhi keemat par.

Kadak dhoop mein samandar kinaare, baloo par ghunse maarna, nange paon garam tapti hui reth par bhaagna, usss par bina kapde pehne letna, yeh sab bhi karwaya jata tha sabse. Samir sab chup chaap karta jata tha, baaki ke sab dost log dant pees pees kar galian nikaalte the. Baloo se bhare bori peeth par laad kar bhaagna… apne mein ek competition karwana, ek dusre se fight karna, self defence ki techniques seekhna… aur bahot bahot kuch eise tasks se guzarna par raha tha Samir ko. Kayi baar ghane jangal mein ek pure peyr ko lakadhaade ki tarah kaat kar apne kaandhe par ussko kitne meel tak chalna aur bhaagna bhi parta tha. Uss darkhat ko apne kaandhe par laade hue paahaad bhi chadna aur utarna padta tha kayi baar. Uss dauraan kayi dost ghaayal bhi ho gaye uss exercise ko karte waqt, yaa to paon ki phisalne se gir pade, ya kamar mein dard se zakham ho gaye vaghaira vaghaira….

Inn sabhi tasks ke dauraan ek hi trainer superior nahin hota tha, har roz weh badalte rehte the. Samir ke naye doston mein ek usske kaafi karibi ban gaya tha jisska naam tha Afzal. Afzal bahot ghussa karta tha jab superiors ziadati karte the. Magar Samir ussko har waqt rokta sambhaalta tha. Ek roz to Afzal ko itna ghussa aya ek Supeior ko maarne chal pada. Baaki ke doston ne Samir ke saath milkar ussko roka. Uss superior ne report mein Afzal ke liye punishment likha. Dusre din jab dusra superior aya to Afzal ko ek taraf legaya aur ussko 24 hours ek badhbudaar toilet mein band kiya baahar se taala laga kar!! Baahar nikalna naamumkin tha. Chawbees ghante Afzal usske andar band rahe. Dusre roz jab ussko nikala gaya to woh Samir ke gale lag kar bahot roya aur kaha ke woh give up kar raha hai, wapas apne ghar jaa raha hai. Tab bhi Samir aur baaki doston ne Afzal ko samjha boojha ke rok liya. Aur ek din ek aur dost ko punishment yeh mili ke ussko 12 ghanton tak keechad mein gale tak rakha gaya, aur ek teesre saathi ko lapakte hue garam aag ke paas din bhar bandha gaya…. Yeh sab sehne ke baad sab apne aap mein batein karte the ke kia weh soldiers hein ya quaidi? Eise bartaav kiya jata hai sainikon ke saath? Uss din Samir ne socha ke kissi superior se baat karega. Aur ussne appointment liya superior ke chief se baat karne ki.

Uss chief ko Samir ke bare mein khabar mil gayi thi ke woh sab se behtar candidate hai naye joined hue group ki. Samir ne milne ke baad Chief ko bataya ke keise salook kiye jaate hein unn sab ke saath aur yeh maanavya nahin lagta, kyun uss tarah ke bartaav kiye jaate hein? Samir ne samjhaya superior ko in lavzon mein,

“Sir hamare doston mein se kayi log stressed hein aur dimaagh garam ho jata hai. Kayi bar to superior ko maarne par utar aaye the dost log. Kia aap eise bartaav ko rok nahin sakte? Mere dost log aur main khud ek eise maansik tanaav se guzar rahe hein ke kabhi bhi kuch bhi ho sakta hai, iss liye mera aap se darkhwast hai ke aap kuch Karen please!” Tab chief ne kadak aur bahot hi gambhirta se English mein yeh jawaab diya Samir ko!

“You all have to undergo all those situations! It forms part of the game and duty. Can you know what you may have to go through if ever you are being captured by enemies? You may get to suffer a hundred times more atrocities than that. So we are preparing you guys to become stronger and be able to face such occasions if ever they occur in your life! A commando is not an ordinary man! You will have to be inhuman at times when it comes to saving your life! Otherwise, you cannot be a Comando. Have you ever eaten raw meat of a dead animal? You may have to go through such things if you get to face enemies in a deserted pace. Do you know what a war is? Do you have an idea of what is to face a terrorist? Do you know what kind of atrocities a terrorist can make you go through? Millions of times more than what you are facing here my boy! Well, I know what the mental condition of all of you is and its now time for the psychologist to follow you guys. You are all stressed and your mental condition demands repairs so the psychologist will guide and prepare you, this is also part of the duty and tasks. You are a very strong young man both physically and mentally and I am proud of you. But I want to give you a little private advice regarding what for you came here – A commando NEVER fights for his friends, A commando looks only for his and only his duty, he does not have to interfere in the program of his superiors neither he should ever come to talk in favour of anyone! We, here know what we are doing and what we have to do, there is no need of syndicate and anyone to speak for someone else. This is a place where each one looks for his own benefits, not for others, this is not a normal life, you are out of the common world, here, there is no brotherhood, no relationship, no attachment to anyone. Here you only take orders and execute them. No place for sentiments, no room for feelings and all that. Bear this well in your mind my boy.”

Samir wahan se niraash nikla aur jaa kar ek kone mein chup chaap medidate karne laga ek gehri lambi sannss lekar….. Kabhi kabhi eisa lagta tha khud khushi kar le woh!!! Niraash ho jaata tha kabhi… kabhi khud apna hausla badhaata tha khud ko tassali de dekar…. Maansik santulan khone ka sambhaavna tha eise haalaat se guzarte hue. Woh apne doston ki chinta ziada kar raha tha apne khud se!

Phir dusre din sach mein as part of tasks mein ek Phycologist ne unn sab ki class liye. Sabko iss kadar baton se tayaar kiya uss doctor ne, ke sab apne andar ek ajeeb si taaqat mehsoos karne lage. Pata nahin kia jadu tha uss doctor ki baton mein jo baton, lavzon se insaan ko taaqat aur jine ki raah dikhata tha. Sab ke sab bilkool relaxed feel karne lage aur ek josh jeisa paida ho gaya unn sab doston ke beech aur firse tayaar ho gaye sabke sab maidaan mein utarne ke liye!

Ab physical exercises aur task ke ilawa academic class bhi hote the. Kuch lessons yaad karna padta tha aur exams bhi hote the. Sabhi exams mein Samir hamesha ki tarah first ata tha aur baaki ke bache dosts bhi ache number se pass hote the. Kabhi sirf 10 ghante ke baad di gayi lessons par test hota thaa. Kabhi 20/25 notes ko yaad karna padta tha by heart aur test mein bina ek lessons ko bhoole ya miss kiye sab jawaab dena padta tha. Ab revolver aur bandook ki essentials aur utilities ki lessons aur rules seekhaya gaya aur lessons diye gaye. Aur order mila ke jiss ne bhi ek jawaab sahi nahin diya ussko 24 ghanton ke liye khatarnaak jagah par quaid kiya jaega!

Aur Comando ke yeh rules diye gaye sabhi ko aur by heart zindagi bar yaad rakhne ko kaha gaaya aur test mein sab sahi jawaab dena bhi hoga!
The Comando Rules and orders


1. Impossible is possible if it can be done it will be done if it can’t be done it will be done.

2. Work with fewer resources.

3. Work in lesser time – split-second timing.

4. Division of responsibility and function – one job one man.

5. Work with fewer men – man apart every man an emperor.

6. Areas of operation – accept hostilities as a way of life as your home is behind enemy lines

7 The goal at any cost – as no return assured.

8. Obedience to death.

9. Buddy’s life is my life, but the operation is more important than any life.

10. Local command and control – our decision, our responsibility.

11. Dark is safe – sleep by day, fight by night.

12. Avoid the road – take the bush.

13. Avoid the bridge - take the river

14. Overcome the obstacle or go around it.

15. Do or die – kill the enemy before losing your life.

16. Know no tiredness – relax and you will end up dead.

17. Survive at any cost – live off the land.

18. Unbeatable vigor, unbreakable spirit – never say die, die another day, die hard.

19. Stealth is strength.

20. Disguise your intention – use decephon and diversion.

21. Hit and run.

22. Kill or be killed.

323. Don’t let the enemy break you.

24. Forget the dead, remember the ops.

25. Who dares wins.

Commandments

1. My country comes first.

2. One for all /all for one.

3. Truth to the brother Comando

4. My weapon is part of myself.

5. Darkness is my best friend.

6. My equipment is primordial.

7. Win, win , always win.

8. Intelligence, surveyance and recover

9. Have no pity, shoot to kill

10 Above all we rise.
The Four Golden Rules of Firearms Safety

1. All guns are always loaded.

2. Never let the muzzle cover anything you are not willing to destroy.

3. Keep your finger off the trigger till your sights are on the target.

4. Identify your target, and what is behind it. Never shoot at shadows and/or noises.

Sab ko yeh diye gaye aur sirf ek raat mila sab padhkar memorise karne ko kal subha test mein innke jawaab dene the!! Sab dost apne apne bed par leth gaye kagaz ka tukda lekar aur rules padhne lag gaye… kissi ki enkh lag jaate to koyi ussko jagaata phir koyi aur so jaata to ek aur ussko jagata….. Aab mein bhaichara tha…. Phir milkar decide kiya sab ne ke kuch log adhe raat soye baaki jaage, aur jab weh jaage to dusre team soye.. Aur weisa hi kiya gaya; magar Samir donon shift mein jaagta raha bilkool nahin soya aur pure rules ko padhkar memorize kiya ussne!!

“Kahan se itni taaqat laate ho tum yaar? Itne thakaan ke bawajud tumko neend nahin aayi, tum raat bhar jaagte rahe aur lessons yaad karte rahe” Afzal ne poocha Samir se! Aur samir ne sirf ek choti si muskurahat se ussko jawaad dete hue kamre se nikal gaya.

To be continued……………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 4 More About Samir

Bahot saare tests, exams hue aur Samir sab mein awwal aya. Unnke sabhi dusre doston ko bhi pata tha ke Samir ka lakshya kuch aur hai aur woh to pass hi pass hoga.

Practical tests mein bhi sab se aage tha Samir. Reth mein, garam reth mein ghunse maarne se Samir ke muthi par gehra daag ho gaya tha, weh kale ho gae the, panje ke haddiyan ghayal hokar such gaye the, khoon behne ke bawajud bhi Samir ghunssa maarta tha garam reth par; baki ke log jeise hi panja zara sa laal hota tha to ruk jaate the aur kayi to medical leaves ki maang karte the.

Pura ek saal aur guzra weise hi bahot kadak, kathin training karte hue. Helicopter se chalaang lagaya gaya kayi baar, plane se rassi kamar mein bandhe hue ek dusre ko life saving sikhaya gaya. Apne kissi dost ko kissi pahaadi ilaake mein ek jeep jaakar chorr diya karta tha aur ab helicopter se ussko dhund kar upar se nikaalne ka task milta tha pura karne ko. Samir ko yeh task bahot passand tha kyunke ussko khatron se khelne ka bada shauk ho gaya tha. Helicopter se rassi se bandhe eise latakta tha jeise bachon ka khel ho aur pal bhar mein kissi bhi chiz ko uthakar baahar lejata tha.

Helicopter pilot ki training bhi di gayi unn sab mein se sirf 4 ko jo ziada kaabil the. Beshak Samir pehla tha helicopter udane mein. Weise koyi bhi Comando pilot to nahin banne gaye the magar basics unnko seekhna zaroori tha taake waqt ane par zaroorat pade to woh uda sake ek helicopter ko.


*********************************************************

Ab ek roz kuch eisa hua.

Kahin dange fasaad ho rahe the kissi sheher mein kissi kaaran. Police wale to wahan gaye hi hue the laati charge ho raha tha. Koyi 150 police wale 1000 logon se fight kar rahe the. Emergency unit ka sahara liya gaya…… aur eise haalaat mein keise nipatna hota hai iss liye Samir ki group ko wahan bheja gaya ek supporting unit bana kar. Comando ka uniform full black colour ka tha. Aur chehra nakaab ke peeche chupa rehta tha. Uss group ki bahot sare uniforms the. Jab training karte the to alag Uniform, kissi official kaam par jaate the to alag kissam ki uniform, emergency kaam ke liye alag uniform, aur Comando ki tarah utarna hota tha to woh kala uniform jiss mein unn sab ke chehre chupe hote the. Jane se pehle unnko ek superior ne brief kiya in lavzon se

“Tum logon ko apne special dande ka istemal karna hai aur kuch nahin. No firing, no gas, nothing only hitting. Hit those bastards who are disturbing law and order overthere! Sirf unn logon ko maarna hai jo sheese tod rahe hein, jo dukanein loot rahe hei, jo car, bus mein aag laga rahe hein. Jao sab, wapas ane ke baad tum logon ko ek ajeeb se khushi mehsoos hogi aaj! Dil ka bhadaas niklega jao sab and be back successful!! Show what you 12 are capable of!”

To uss roz 12 Comandos achaanak wahan pohunche jahan danga ho raha tha. Log maara maari par utar aae the aur jo mutbher police aur unn logon ke beech ho raha tha bahot gambhir tha. Charon taraf aag lage hue the, kuch log chilla rahe the kuch ghaaayal the, bahot saare log pathar chala rahe the police walon ke taraf, kayi police wale khoon mein latpat the… kuch log bhaag rahe the kuch sach mein dukaanon mein aag laga rahe the, kuch dukaan ke darwaze todkar andar se samaan chura rahe the…. Kayi log ek bus mein aag laga rahe the, koyi tyre beech sadak par rakh kar aag laga rahe the….. nazaara garam aur khatarnaak tha.

Jiss special truck mein Samir aur baaki log wahan aae to woh truck raaste ke beech o beech ruka aur 12 nakaabposh Comandos truck se baahar nikle….. Usske baad jo hua kamaal ka hua!! Do ghanton se police wale sab ko rokne ki koshish mein lage hue the magar naakamyaab the aur in 12 logon ne sab kuch 10 minutes mein rok diya! Keise? Dekhte hein…..

Samir sab se aage utra truck se…sirf usske enkhen dikh rahe the, usske baad ek ek karke usske 11 dost utre….. sab ne kissi na kisi ko target karte hue unn ke taraf badhe raftaar se…. Aaj inn sab ko dikhana tha ke itne kathin training aur musibat jhelne ke baad yeh kiss kaabil hue hein, aaj innke imtehaan ka din tha. Samir ki enkhen laal ho gaye the jiss waqt woh ek aadmi ke taraf badh raha tha jo ek aag lage hue bus mein petrol chidak raha tha…. Uss waqt woh aadmi Saamir ke liye ek dushman tha, aman ka dushman, desh ki sukoon ka dushman, atank feylane wala dushman aur Samir ko use maarna tha rokne ke liye kyun ke do ghante se woh yeh sab kuch kar raha tha. Comandos ke paas jo danda hota tha woh normal laathi nahin jo hawaldaar use karte the, inn ke dande special kaale rang ke the jo ek lohe ki tarah thi, uss se ek baar maar khaane se haddi to tutta hi tha…. Samir ne uss aadmi par charge kiya ek baar do baar teen baar chaar baar, maarta gaya maarta gaya uss aadmi ke peeth par, pyeron par, woh chilaata gaya, Samir maarta gaya, usske gaand par mara, kaandhon par mara, chehre par maara, woh aadmi rone laga bhaagne laga Samir usske peeche gaya, pakar kar zameen par patka aur phir se maarne laga, woh aadmi gidgidaane laga, “Mujhe maaf kardo phir kabhi eisa nahin karunga mat maaro mar jaunga mat maaro…” magar Samir nahin ruk raha tha bilkool ek jalaad ki tarah ussko maarta jaa raha tha apne unn sabhi training mein kiye gaye sitam ko yaad kar kar ke sab bhadaas nikaal raha tha….. Aur exactly wohi uss ke baaki ke 11 dost bhi kar rahe the…. Jiss jiss aadmi ko inn sab ne mare sab lahu luhaan ho gaye the….. sab ussi haalat mein the jiss mein Samir tha, sab apne apne jhele hue dukh aur gham ko yaad kar rahe the maarte waqt… sab apne kathinaiyon ko yaad kar rahe the dushman ko maarte waqt…. Garam reth par letna, bhari darkhat ko kaandhe par dhona, pahaad chahadhna aur utarna, keechad mein gale tak ghanton bhar rehna, tapti hui aag ke saamne ghanton par bandhe rehna…. Sab ke sab ko dukh bhare training ke lamhe yaad aa rahe the uss waqt….. baaki ke logon ne jab eise maar khaate hue logon ko dekha to bahot saare bhaagne lag gaye….. magar ek aadmi ne Samir par humla karna chaha kyunke uss maar khate hue aadmin ka dost tha shaayad…. Samir ne apne pehle target ko chorr kar uss ke piche lag gaaya…. Iss baar Samir ne apna danda nahin istemaal kiya laat aur ghunse use kiya uss aadmi ko woh maar mara woh mara ke usske baaki ke 11 dost khade hokar dekhne lage…. Aur jitney bhi fasaadi the sab bhaag gaye… sirf jo ghaayal pade the unnko police wale Ambulance mein daal rahe the.. Samir uss aaadmi ke chere ka naksha badal diya ghuson se… uss aadmi ka honth phatkar latak gaya, usske ghutne toot kaye, haddi ki tootne ki awaaz sunaayi diya baaki ke doston ko…. Phir bhi Samir maarte chala jaa raha tha….. Jeise ek junoon sawaar ho uss par uss waqt…. Tab baaki doston ne Samir ko aakar roka, ussko sambhala, aur sab wapas unit chale gaye….

Uss roz apne kamre mein sab khamosh baithe rahe kaafi der tak. Koyi kuch baat nahin kar rahe the. Sab bilkool shaant the. Sab sirf uss drisht ko yaad kar rahe the jo fasaad mein hua tha. Samir ko uss aadmi ka chehra dikh raha tha lahu lohaan… usske kaanon mein uss aadmi ki pukaar sunaayi de rahi thi , “mujhe maaf kardo main phir kabhi eisa nahin karunga, mat maro mat maro mujhe!!” Usske baaki ke dost bhi apne apne kiye kaarnaame ko yaad kar rahe the aur wohi drisht dikh rahe the sab ko…..

Tab ek ne baat karna shuru kiya aur hansste hue kaha,

“Boss ne thik kaha tha ke aaj dil ka bhadaas nikalenge hum sab! Sach mein dil ko thandak pohunchi nah? Hum sab mein se kaun hai jisske dil ko chain nahin mila aaj?”

Aur kissi dusre ne kaha,

“Aaj mujhe pata chala ke special sqad wale kyun itna maarte hein!! Mera ek chacha ek din ek riot mein pakra gaya tha bus par pathar chalaate hue, aur ussko main ne itna maar khaate hue dekha tha aur soch raha tha ke woh insaan hi tha jo chacha ko uss tarah maar raha hai? – Ab samajh mein aya ke sab eisi kathin training ka natija hai!! Sab bhadaas nikaalte hein public par!!”

Aur Samir ne jawaab diya,

“Public par nahin? Dushman par, weh log public ke dushman the hum ne unn dushmanon ko maara! Aur maarna hi chahiye tha… jaan to nahin liye unnke… unnko achchah sabak mil gaya hoga aur zindagi mein kabhi bhi dobara weisa nahin karenge! Han hum sab ne training ki bhadaas nikaale sahi hai, boss ne bhi sahi kaha tha….. Magar main ek baat bataun tum sab ko? Mujhe koyi chain ya sukoon nahin mila….. Main aur 10/20 eise logon ko maarna chahta hoon tab chain milega mujhko!!” Samir sach mein bahot pathar dil hone laga tha ab…. Sab kadak training ka natija tha….. ek to bilkool khamosh band rehte hein sab, dunya se alag, na kissi se baat na kissi se milan, gharwalon se door, apnon se alag, insaan se jeise shaitaan bane jaa rahe the sab ke sab!! Dil mein kissi ke liye koyi dard na ehsaas hota tha, bus ghussa aur tanaav se bhare rehte the har lamhe sabke…… kabhi kabhi Samir sochta tha ke iss se behtar to main kheti baari karta, chain o sukoon to milta, apnon ke beech to rehta, doston ke darmiyaan to hota…. Yeh kahan aa gaya hoon aur kia ban raha hoon? Insaan hi hoon ya heywaan ban raha hoon? Kia karun? Nikal jaun yaahan se? ya aura age badhun?

To be continued…………….
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 5 Termination of training, but to stay stand by! Relax moments at last.

Ek saal aur bhi kathin training se guzarne ke baad unn 12 Comandos ko permanently as Comandos appoint kiya gaya. Weise 17 the magar sirf 12 Comandos banney, baaki ko as guards rakha gaya ussi unit mein. Samir 23 years ka hogaya tha 24 mein mein kadam rakh chuka tha. Hafte mein 5 roz unit mein jana tha naukri karne ke taur par. Karna kia hota tha, kuch khaas nahin har roz parade aur exercises karna zaroori tha magar kathin nahin, body ko fit rakhne ke liye sabhi basic exercises karna tha aur hafte mein 2 din daudna padta tha kabhi 10 to kabhi 20 kilometres, yeh part of the drill tha. Aur hafte mein do din firing exercises bhi hote the. Han Samir sharp shooter ban gaya tha unn kathin training ke dauran hi. Ab shooting ko maintain rakhne ke liye shooting training hote the 2 din har hafte mein.

Weekend mein free hota tha magar, kabhi emergency hui to weekend mein call karne se turant report karna tha unit par. Unit mein Afzal usska best friend tha. To weekends mein kabhi woh Afzal ke yahan to kabhi Afzal Samir ke yahan paae jaate the.

Weekends mein donon khub relaxed dikhte the kissi ko pata nahin tha ke yeh Comandos the. Bilkool normal logon ki tarah pesh aate the donon. Apne muhalle ke baaki doston ke beech Samir weise milta tha jeise pehle mila karte the magar kum. Ziada tar apne ghar ke andar hi rehne laga tha Samir. Baaki ke sab 12 Comandos ka bhi wohi haal tha. Jeise unit se ghar wapas jaate to ghar mein kadam rakhne ke baad kissi ko baahar nikalne ka mann nahin karta tha. Bahot thakaan mehsoos hoti thi. 3 saal ki training ki thakaan aur ghutan unn sab ke andar jeise quaid the. Kissi se iss bare mein weh baat nahin karte the magar sabhi ke andar kuch dabe hue the jeise ek jwalamukhi jo kabhi bhi phat sakti hai. Weh apne unit ke doston ke beech bhi apne andar ki ghutan, takliff ko bayaan nahin karte the.

Ghar mein maa baap aur bhai behen se jeise doorie paida kar liye the sab ne. Baatein kum karte the aur apne aap mein gum rehte the. Jab pehla din Samir ghar wapas aya 3 saal ke baad to apni maa ki bahon mein der tak rota raha ek chote bacche ki tarah. Maa pooch pooch kar thak gayi ke “beta kia baat hai bata to sahi, kyun ro raha hai? Kia hua? Khushi ke ensoo hein ya koyi takliff hai? Ya hum ko 3 saal baad mile iss liye rona aya bol na beta?” Maa bhi ro rahi thi apne jawaan bête ko rote hue dekh kar, aur bhai behnon ka bura haal tha bade bhai ko rote dekh kar. Baap ko kuch kuch samajh mein araha tha magar apne seene par uss ne pathar rakh liya tha kyunke ussko thoda bahot khabar tha ke kathin training se wapas aya aur ab woh Samir nahin raha jo ghar se gaya tha 3 saal pehle! Aur dhire dhire sab ko samajh mein agaya ke Samir ab ek alag insaan ban gaya hai. Koyi kehta ke yeh maturity ki nishaani tha to koyi sochta ke shayad ussko kissi se pyar hai aur woh bata nahin sakta. Usski maa aur behen ne kayi baar poocha bhi ke agar kissi Ladki se pyar karta hai to bata de weh unnke shaadi karwa denge magar Samir jawaab deta ke woh abhi shaadi ke liye tayyar nahin hai.

Kuch eisa hi haal baaki ke 11 sathiyon ka bhi tha, unn ke gharwale bhi eise hi daur se guzar rahe the. Samir ke baap ne apni patni se baat ki, ke Samir ke liye ek Ladki dekhna chahiye! Aur bina Samir ko kuch kahe unn logon ne ladki talash karna shuru kar diye.

Ek weekend ko Samir ka baap ne uss se kaha kahin chalna hai. Samir ke papa ki car thi aur khud Samir ne drive kiya aur weh log kissi ke yahan gaye. Kissi ne Samir ko nahin kaha ke ladki dekhne jaa rahe hein. Samir ka baap ne Samir se sirf itna kaha ke woh apne ek dost ke yahan ja raha hai.

Sab se surprise wali baat yeh hai ke jiss ladki ko dekhne jaa raha tha woh ladki bhi shaadi nahin karna chahti thi aur apne papa se zid kiya ke woh saamne nahin aegi. Weise ladki ka baap aur Samir ke baap ne ek dusre se baat kar liye the.

Jab ladki ke ghar ponhuche aur samir aur family lounge mein baithe to ladki ka baap ne Samir ke baap ko ek taraf bulaya aur kaha ke usski beti inkaar kar rahi hai woh nahin ana chahti! To Samir ke baap ne kaha koyi baat nahin ussne Samir ko bataaya bhi nahin ke ussko ladki dikhaane ke liye laya hai. To donon baap ne faisla kiya ke do dost ki tarah donon apas mein baat chit karenge. Weise Samir ka baap ladki se mil chuki thi ussko pehchaanta tha, kyun ke kuch roz pehle woh aya tha ladki ko dekhne ke liye. Uss waqt ladki ko pata nahin tha ke woh kiss liye aae the.

Woh ladki koyi aur nahin hamari Shanaya hi thi! Tab woh 18 saal ki hone ko thi! Aur tab Samir 24 ko hone ka tha. To pariwaar walon ne tey kar liye ke sirf dost ki tarah milein aur ladke ko kuch pata nahin chalne dein. Magar Samir ko pata nahin tha par Shanaya ko to pata tha ke koyi ussko dekhne ke liye aya hua hai!! To hua yeh tha uss roz, ke ghar ke kissi ek kamre ke andar se parde ke piche chhup kar Shanaya ne Samir ko dekh liya tha. Aur Shanaya jab kissi ko ek baar dekhti thi to kabhi usska chehra nahin bhoolti thi. Kuch log eise sach mein hote hein jo ek baar kissi ko dekhne se zindagi bhar uss chehre ko nahin bhoolte Shanaya unn logon mein se ek thi. Aur yeh to khaas mauka tha shanaya ki zindagi ke liye to woh keise uss chehre ko bhool sakti hai? Baat nahin bani to weh log wapas chale gay ek choti si mulaakat karke.

Yeh wohi din tha jab Samir ke jaane ke baad Shanaya ke papa ne uss se baat kiye the ke kyun shaadi ke liye inkaar kar rahi thi tabhi Shanaya ne bataya tha ke woh aur padhna chahti hai aur apne peyron par khud khada hona chahti hai. To papa baaat maan gayi thi aur phone par Samir ke baap ko bataya tha ke ladki aur padhna chahti hai abhi shaadi nahin karna chahti. Magar Shanaya ki choti behen ne usske papa se bol diya ke didi chhup chhup kar parde ke piche se ladke ko dekh rahi thi. Tab usske papa ne poocha tha, “Agar tumne ladke ko dekha to bata keisa laga woh tumko?” Shanaya nazrein jhukaaye hue boli thi, “Thik hai magar papa main ne eisa kuch socha bhi nahin, main interested nahin hoon, ladka thik hai thoda sawnla hai magar acha lagta hai phir bhi mujhe abhi nahin padni inn sab baton mein. Agar ladka aur 6/7 saal wait kar sakta hai tab sochungi!” Aur tab Shanaya ke papa ne ussko bataya, “Ari ladke ko pata bhi nahin tha ke woh yahan ladki dekhne ke liye aya tha woh to yehi samajh raha tha ke usska baap mera dost hai aur who mujhse milne aya hai.” Yeh sunkar Shanaya heyraan hui thi. Aur phir apne papa se ziada sawaal poochne par pata chala ke ladka bhi shaadi ke liye abhi tayyaar nahin issi liye baap ne kuch nahin bataya tha ussko, magar unn donon ko ek dusre ko dikhana chahta tha ke shaayad woh Shanaya ko passand karle aur shaadi ke liye han kar de……

To uss roz Shanaya ne Samir ko to dekh liya tha magar Samir kissi bhi Shanaya naam ki ladki ko na dekha na pehchaanta tha!! To yeh donon kiss mod par aur keise ek dusre se milenge aur kab? Ab 24 se lekar 29 ki umar tak kia guzarti hai Samir ke zindagi mein?? Yeh lambi kahani hai… aage chal kar pata karenge…..

To be continued…………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 6. Sea guarding – away from the world – Samir missed love

Sameer ko unit ke taraf se ek badi si equipped jahaaz par jana pada Somalia ke pirates ka saamna karne ke liye jo Indian Ocean ke jahazon par hamla kiya karte the. Samundar mein 3 mahinon tak rehna tha uss boat par. Aur sirf 6 Comandos ko bheja gaya tha Sameer ke saath. Uss jahaaz par helicopter ke liye bhi jagah tha aur pilote bhi the taake zaroorat padne par weh attack kar sake. Phir se apnon se doorie aur ek aur experience jo khatron se bhare the aur tanaav mein ghere hue, akelapan aur tanhaayi ka aalam. Samir ka yeh pehla experience tha saagar ke beech o beech ek jahaaz par din, hafte mahine guzarne ka. Sab doston ko yeh training se badtar lagta tha kyun ke dunyawalon se door bilkool kate hue ek sunsaan jagah par jeena bilkool asaan nahin tha.

Pehla hafta keise bhi karke guzra, aur bahot boredom feel kar rahe the sab ke sab. 2 superiors unn ke saath the aur jahaaz par hi drills vaghaira hua karte the. Magar sirf ghanton bhar phir spying ka kaam hota tha. Guards ke jeise kaam karna tha. Kabhi helicopter se kissi jazire ka moaena kiya jata tha aur helicopter se hi usss jazire par Samir aur unn ke saathi utarthe the well equipped rassi aur dusre saamaan ke saath.

Somalia ke Coast par bhi aksar jana hota tha aur beech samundar mein jiss jagah weh pirates attack kiya karte the unn jagaon par har roz tour lagana padta tha bandook, aur baaki ke hathyaaron se leys hokar.

Ek mahine samundar ke beech guzaarne ke baad koyi bhi pirates se takraar nahin hone par radio se unit par contact kiya gaya to unnko wapas ane ko kaha gaya. Koson mile door the desh se aur Indian Ocean se wapas jane ke liye jahaaz ko shuru kiya gaya ke sirf ekaat ghante ke safar ke baad ek toofaan ki chitawni mili jiss awr jahaaz badh rahe the…. Indian Ocean mein jo toofaan ate hein bahot bhayankar hote hein aur tehes nehes kar jaate hein.

Comandos ko kuch pata nahin tha uss waqt, sirf jahaaz ki captain ko khabar mili thi. Sab Comandos araam kar rahe the cabin mein. Samir ko khushi hui ke teen mahinon ki bajae ek hi mahine ke baad wapas desh jaa raha hai aur usske saathi bhi bahot khush the. Baat cheet chal rahi thi doston ke beech. Aur phir se ladkiyon ki baat chali. Ab nawjawan ladki ke hi to baat karenge! Afzal ne shuru kiya uss mudde par baat.

“Yaar mere maa baaap ne ladki dekh rakha hai mere liye aur shaadi ke liye zor de rahe hein!”

Samir: “Mujhse bhi gharwalon ne iss bare mein baat kiye magar main ne inkaaar kiya abhi.

Ek aur dost bola,

“Arey kamaal ki baat hai mera bhi yehi haal hai mere parents bhi shadi ke liye bol rahe hein!! Magar main to enjoy karna chahta hoon bahot sare girlfriends hein main to eysh karta rehta hoon shaadi kiya to sab band ho jaega!”

Iss bat cheet ke dauraan Afzal ne bataya ke ussne ladki ko dekh liya hai. Aur ussko woh passand bhi hai. Uss waqt Samir ne dil hi dil mein socha, “pata nahin ladki ne kitne boyfriends rakhe honge Afzal se pehle!! Aur pata nahin kia kia gul khilae honge uss ne ” Usske dimaagh mein phir wohi muhalle ke doston ke beech kiye batein yaad agaye… magar phir Samir ne socha magar har ladki to ek jeisi nahin ho sakti nah…. Afzal ki hone wali zaroor achchi hogi.

Udhar inn ek mahine ke dawraan Samir ke papa ne kayi aur ladkiyon ke baap se mil liye aur baat bhi kar liye the aur Samir ka wapasi ka intezaar kar rahe the. Magar Samir ko iss bare mein kuch bhi pata nahin tha.

Cabin mein achanak ek eisi jhatka laga ke bahot sare cheez zameen par girr pare aur eisa laga ke jahaz kissi chiz se takra gaya. Sab jhatpata kar baahar nikalne hi wale the ke superior ne bola,

“There is a severe tropical cyclone in the sea and we cannot go ahead. We have to stay where we are if we move the boat can get capsized. You are all advised to wear your life jackets and be ready for any sort of intervention at any moment! Be alert and stand by! Don’t forget you are still on duty!”

Sab ke chehre badal gaye aur ek darr sa baith gaya sabke dil mein. Zameen par hote to kuch kar bhi sakte magar beech samundar mein zammen se koson door kia kar sakte the! Eise haalat ke liye kissi ne kabhi socha bhi nahin thaa! Han teyrna sabko ata tha kyunke teyrne ki training bhi kiye the magar toofaan mein teyrnaa yeh to train nahin kiya gaya tha!! Woh bhi samundar ke beech ka toofaan jahan lehren jeise garajte hue baadal kitne metres upar uthakar niche patak rahe the apne khud ki lehron ko!!

Sab ke sab baahar nikle aur Captain ke taraf badhe, to radio par yeh cyclone warning di jaa rahi thi – “A cyclone warning class 3 in in forced, all precautionary measures should be maintained, seas will be rough it is advised not to go in the sea!” Samir kabhi nahin dara tha jeise uss waqt ussko darr laga! Baaki ke sabhi doston ke chehre bhi utre hue the, sab ke dil zoron se dhadak rahe the.

Samir ne sawaal kiya Captain se,

“Kia aap kabhi eise toofan se guzre ho samundar mein?”

Captain: “Door se guzra hoon kayi baar beta, magar aaj to Toofan ke beech mein phanss gaye hein, na aage jaa sakte hein na peeche, agar main ne boat ko chalane ki koshish kiya to yeh ulat jaega! Lehren issko nahin chalne denghe. Behtar hai hum ruke rahe lehren issko upar niche karega magar doobega nahin, par agar hum chalne lage to doobne lagenge!”

Jahaaz kayi metre upar phir niche ho rahe the, lehren jeise ghusse mein iss kadar jahaaz par takra rahe the jeise jahaz ko tukre tukre kar dega….. Itna shor kar rahe the lehren ke ek dusre ke baat nahin sunaayi de rahi thi, zor se chilla kar baat karna par raha tha sabko. Bahot bhayaanak nazara tha, din tha magar jeise kaali raat ho gayi ho baarish bhi zoron ki ho rahi thi aur hawa to 120 kilometres se ziada ke raftaar se jahaz ko kabbhi iss taraf to kabhi uss taraf dhakel raha tha.

Comandos ko andar apne cabin mein jane ke liye order diya gaya. Sab chale gaye magar bahot darr lag rahe the sabko. Cabin ke andar tak weise hi shor aur khauff bhari lehron ki takraar jahaz par mehsoos kiya jaa raha tha.

Neend aa rahi thi sabko magar eise mein sona naa mumkin tha. Jahaaz iss kadar hil raha tha jeise ab ulaat jaega. Kayi baar lehron ne bahot ziada hi upar tak utha diya boat ko tab eisa lagta tha ke iss baar boat seedha nahin girega paani mein!! Magar har baar seeda hi wapas girrta tha!! Ek baar to takriban 30 degrees dayein taraf wapas paani mein boat girr raha tha lehron se upar uthne ke baad; tab laga ke iss baar to aadha boat paaani ke andar hoga, magar khud toofaan hi ki dusri lehren boat ko seedha kar deta tha!! Bura haal tha sabka…. Captain tak ghabra gaya tha bilkool aur samajh mein nahin araha tha ke kia kiya jae.

Chaar ghante baad radio par jo announcement hua woh ziada darawna tha. Toofan darje 7 ki chitawni par aa gayi thi, hawa ka raftaar 225 kilometres per hour the; Aur toofaan boat ko jeise apne aaghosh mein le raha tha. Yeh sunkar sab Comandos ko laga ke koyi nahin bachega ab. To Afzal ne Samir se kaha, “Hum mein se jo bhi bachega woh mere gharwalon ko mera pyar aur sandesh zaroor pohunchana! Aur Samir agar main nahin raha to ek kaam karna mere liye dost, yeh le meri hone wali ki number ussko phone karke bata dena aur kehna ke main ussko passand karta hoon aur shaadi ke liye raazi tha main. Agar main nahin bacha to uss se kehna ke kismat mein nahin tha hamara milna yaar!”

Samir ne kaha, “chup kar kuch nahin hoga hum sab sahi salaamat wapas desh jaenge dekh lena.” Assal mein Samir ko bhi lag raha tha ke koyi nahin bachne waala, magar woh Afzal ko tassalli dene ke liye eisa bol gaya. Yeh wohi waqt tha jab Samir ne apne aap se…… kaha,

“Kaash mera koyi hota jisske liye main eisa message send karta eisi haalaat mein. Koyi to pyar karti mujhse! Kissi ko main bhi pyar karta, koyi to eisi hoti jiss se main apne dil ki baat kehta, apne andar ki ghutan ko share karta !! Shaayd tab main

apne aap ko itna tanha naahin mehsoos karta. Pyar bahot zaroori hoti hai ab aur abhi mehsoos hua! Kyun main ladkiyon ke bare mein eisa sochta hoon? Kia sab ladkiyan ek jeise hote hein? Nahin sabki apni apni marzi aur halaat hote honge zaroor…..”

To be continued…………
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 7 Back to earth amongst dear ones – Afzal gets married

Apni zindagi mein Samir kabhi bhi weisa daur se nahin guzra tha. Woh pehli baar thi jab ussko maut saamne dikhaayi diye. Woi zindagi mein pehli baar thi jab ussko kissi ki kami mehsoos hui. Woh pehli baar thi usski zindagi mein jab ussko pyar ki kami mehsoos hui. Woh bhi uss waqt jab ussko laga ke phir kabhi zindagi se mulakaat nahin hogi. Ussko laga ke dobara zameen par nahin jaa paega kabhi. Saagar ki aghosh mein usski jism kissi badi machli ki bhoj ban jaegi. Sab ke sab eise hi soch rahe the jab toofan uss jahaaz ko upar niche kiye jaa raha tha khatarnaak hawaen aur lehron ke beech. Paani jahaaz mein andar guss aaye the aur sabke cabin mein bhi aa chuke the magar draining system kaam kar rahi thi to jitna bhi paani jahaaz ke andar ate the unn mein se 50% drain ho jaata tha turant, magar turant baad lehron ki zor se aur utna paani andar ajata tha.

5 ghanton tak toofan ki khaufnaak aur khatarnaaak lehron ke beech ghire woh jahaaz eisa lag raha tha ke Saagar naraaz thi aur koyi zinda nahin bachne wala. Sab log prayers karne lage, upar wale ko yaad karne ka waqt tha, duaein maangne ka waqt tha, uss kaenaat ko banana wale ke aguey sajde karne ka waqt tha. Captain ek Christian tha aur usski zor se rone ki awaaz sunaayi di gayi, jab baaki ke log dekhne gaye to woh rote hue pray kar raha tha, “O Lord save our ship and the crew and all amidst. You are the saver please accept our prayer, we are sinners we know but you are the most merciful so forgive our sin and spare us from this danger, only you can save us o my Lord save us!”

Kitna bhi kadak insaan ho uss waqt naram ho jata! Donon superiors bhi ro pade aur pray karne lage. Afzal ne zor se pray kiya, “Ya rab hum gunehgaron par rehem kar ey maalik, hamari duaon ko qubool kar hamein bacha ey Khuda, tu hi bachane wala hai, tu maalik hai tu hamein paida karne wala hai, tu ne iss kaenaat ko banaya, weise iss iss toofaan ko bhi ab rokde isse hum bandon par rehem kar ey rab!!”

Samir sar jhukae zameen taak raha tha, enkhon se ensoo behne lage aur usska jism kamp raha tha, sab ke dil zoron se dhadak rahe the, sab bahot darey hue the. Samir ne apne maa baap ko yaad kiya, aur apne chohte bhai aur behen ko yaad karte hue dhire se rote hue kaha, “Hey Bhagwaan mujhe mere maa baap ke liye bacha le, unn logon ko mera sahara hai, weh log mere bagahir kamzor par jaenge, meri maa ro ro ke mar jaegi, mera bhai chohta hai wo mujhpar depend kar raha hai apne studies ke liye aur meri behen bhi….papa thode dinon mein retire hone wale hein to main hi unnka sahara hoon mujhe aur hum sabko bacha le Bhagwaan….” Usske enkhon se eise ensoo behkar zameen par uss samandar ki lehron se mil rahe the jeise koyi chamaatkaar hone wala tha…..woh khud apne ensoowon ko paani mein girta dekh raha tha aur dehek kar rone laga zameen par baith kar…..

Radio kaam nahin kar raha tha koyi toofaan ki khabar nahin mil rahe the….. Assal mein woh toofaan itni tezi ke saath guzar raha tha ke jiss waqt sab pray kar rahe the to toofaan apni aakhri zor par tha, uss waqt toofaan ki rukh mudhkar dusri awr jaa raha tha…..

Ek ghante ke baad aasmaan saaf dikhaayi dene lage halaan ke samundar chanchal tha… hawa bhi tez thi magar toofaani haalat nahin the… lehren tab bhi oonchi thi magar bilkool toofan nahin lag raha tha…..

Captain ne jahaaz start kiya, kuch tehes nehes hua tha, kahin kahin jahaaz damage hue the magar khatra nahin tha….. dhire dhire start kiya aur Jahaaz chalne laga….. door samundar mein toofan dikh rahe the sabko… bhayaanak nazara tha aur rownde khade ho jaate the samundar ke oonche lehron ko dekh kar…. Toofaan Australia ke taraf tezi ke sath badh raha tha uss waqt.

Captain radio se lagaataar contact karta raha aur aakhir mein signal mili aur khabar mili ke jiss latitude par toofaan tha jahaaz ab khatre se baahar tha! Agar woh toofan aur 1 ghate tak Jahaaaz ke beech rehta to zaroor doobo deta jahaaz ko, shukar hai ke tez jaa raha tha toofan aur guzar gaya!

Dusre din sab zameen par ponhuche. Ghar jaane ki sabko jaldi thi aur bina unit par report kiya sabke sab apne apne ghar chale gaye yahan tak ke superiors bhi. Sab itna darre hue the, ke sirf apnon ke beech jaane ka mann thaa aur apne ghar mein araam karne ki sakht zaroorat thi sabko.

Ghar aane par Samir phir apni maa ki goad mein roya aur bayaan kiya ke kiss tarah khatarnaak toofaan mein ghira hua tha aur lagta tha nahin bach paega. Usske bhai behen bhi uss se gale milkar ro pade jiss tarah se uss ne sabko bataya ke woh shayad zinda wapas nahin ata aaj!

Uss haadse ne Samir ko jhinjorr diya tha. Ussko samajh mein nahin araha tha ke woh ab kia chahta hai zindagi se. Jab ussne Afzal ki baatein yaad kiye jiss tarah ussne apni menbooba ko paighaam ponhuchane ko kaha tha to firse se Samir ko ek pyari si mehbooba ki chahh jaagi usske mann mein. Aur uss ne apni maa se kaha ke ab woh shaadi ke liye tayyaar hai. Maa baap ko bahot khushi hui aur baap ne kaha ke jald hi ussko ek ladki dikhane chalenge.

Udhar Afzal ke yahan chat mangni pat shaadi wali baat ho gayi. Usski shaadi fix ho gayi agle mahine ke liye. Unit se ussne chhuthi le liya shaadi karne ke liye. Aur Samir ne bhi chuthi liya Afzal ke yahan shaadi mein haazir hone ke liye.

Samir ko aur do jagah ladki dekhne ke liye le jaya gaya magar ek jagah Samir ko ladki passand nahin aayi aur dusri jagah ladki ne Samir ko ek taraf bula kar saaf bata diya ke woh kissi ko chahti hai to samir se inkaar karne ko kaha, to wahan bhi baat nahin bani. Tab Samir ne socha ke achchi ladkiyan bhi hote hein, yeh ladki agar chahti to kuch nahin batati, magar saaf dil ki thi ke samir ko pehle hi bata diya. Usska nazarya ladkiyon ke taraf kuch kuch badalne laga.

Afzal ki shaadi ka din aya aur Samir ne jamke shaadi mein saath diya aur khub enjoy bhi kiya. Wahan samir ke maa baap bhi gaye hue the aur wohi mauka tha Samir ke liye ladki passand karne ki. Maa, baap apna kaam kar rahe the uss shaadi mein. Badon ke beech baat chal rahi thi ke Samir ki yog koyi ladki chahiye….. Aur bahot jald wahan ke sabhi bade logon ko khabar mil gayi ke ek nawjawan ladke ke liye ek ladki ki zaroorat hai. To wahin par Samir ko man passand ladki mili jab donon taraf ke parents ne baat kar liye. Ladki ko dekhne ke baad jo Afzal ke baap ki dost ki beti thi, Samir ne approve kiya.

Approve karne se pehle Samir ne uss ladki ke bare mein Afzal se pooch taaj kiya magar Afzal ne kaha ke woh ussko bilkool nahin jaanta, kabhi mila bhi nahin maagar usske pita ko jaanta hai kyun ke woh usske yahan aksar aya karte the Afzal ke papa se milne kyun ke woh dost the ek hi jagah kaam karte the. Ladki khub surat thi, aur Samir ko bha gayi.

To be continued……..
 
Dimaagh ka garam, Dil ka naram
365
68
28
Update 8 Samir & ?? (his girlfriend’s name?)

Ajeeb bat thi ke ladki jo Samir ke liye dekhi gayi uss ka naam tha Samira. Iss baat se donon Samir aur Samira ko heyrani hui aur Samir ne socha ke shayad yeh kismat ka khel hai aur unn donon ko kismat ne hi milaya. Kehte hein nah ke rishte upar se bankar ate hein to Samir ne eisa hi socha ke har rishta upar wala pehle se hi bana diye hote hein aur yahan dharti par humko milna baaki hota hai.

Afzal ke shadi ke thik ek hafte baad Samir aur Samira ki mangni hui. Samira ek khub surat ladki thi aur filmi heroinon jeisi dikhti thi. College mein padhati thi yaane teacher thi. Modern thi aur bilkool Shanaya ke ulti mizaaj ki thi. Yeh wali bolti thi khulkar sabhi se. Ab teacher thi to open minded thi. Isske bare mein Samir aur Afzal ne bat kiye to donon doston ne apne apne man passand ladki ke bare mein yehi kaha ke kaun kissko kabhi pehchaan sakta hai, woh to dhire dhire ek dusre ke saath jiwan bitane ke baad thik se ek dusre ki pehchaan hoti hai aur zindagi aguey badhti hai.

Afzal apne shaadi se bahot khush tha aur Samir se kaha ke usski biwi bahot achchi hai aur ussko bahot pyar ho gaya uss se. Magar Samir to Samira se ab milne aur jaan pehchaan karne wala tha mangni ke baad. Eise rishton mein shaadi ke baad pyar hota hai shaadi se pehle nahin. Shaadi ke mahinon baad ek dusre ki asli pehchaan hoti hai aur ek dusre ke kareeb hote hein do dil.

Phir bhi Samir mangni ke baad Samira se milna chaha aur donon mile bhi. Samir ka rawaya jo pehle ladkiyon ke taraf tha woh badalne laga tha par woh ziada khulkar ladkiyon se baat nahin kar paata tha. Keise bhi usske dil mein kuch kuch darr aur ajeeb si soch thi jab ladkiyon ko sochta tha aaj kal ke haadson ko lekar. Iss modern zamane mein jo aaj kal ho rahe hein aur jiss tarike se ladkiyon ko chhuth mili hai uss se bahot sare ladkiyan usska ghalat istemaal karte hein aur khud phanss jate hein baad mein aur pachtaate hein.

Samir jab apne muhalle ke doston ke beech mein tha ek din Samira se milne ke baad to phir se wohi ladkiyon ke bare mein baat karne lage to iss baar unn logon ke beech ek 55 saal ka adher aadmi bhi tha jo sharaabi tha aur dukaan ke kissi koney mein pada rehta tha aksar. Woh inn nawjawanon ki batein sun raha tha to kuch bolne ki ijazat mangi ussne.Samir ne usssko bolne ko kaha. Woh tajurbekaar aadmi ne yeh kaha;

“Yaro, baat yeh hai ke iss zamane mein pariwaar apne aulaad ko samaye nahin de pate hein. Donon maa baap kaam karne nikal jate hein aur bache ko ziada chhuth milti hai kuch bhi karnne ko. Ek zamana eisa tha ke hum mard kaam karne jate the aur bachon ko ghar mein biwi sambhaalti thi, usske nigraani mein rehte the bachche, aur phir ghar mein dada aur dadi bhi hua karte the. To bache ke parvarish ek eisa vatavaran mein hoti thi jahan ussko bahot sara pyar aur apnapan milte the. Aur bache badon ka lihaaz karte the, sabki izat kartte the kyun ko ussko yehi sikhaya jata tha. To bache apne dada, dadi aur maa ke saath pale bade hote the to usska assar kuch aur hi hota tha. Magar aaj kal donon jawan maa baap ek flat mein rehte hein na dada hai na dadi, bache ko nursery mein chorr jaate hein aur iss bhaag daur ki zindagi mein paisa kamana ziada important ho gaya hai sab ke liye. Uss zamane mein sirf mard kamata tha aur biwi aur bachchon ko paalta posta tha aur padhata bhi tha; aaj donon pati patni kama rahe hein phir bhi paisa kum pad rahe hein.

To baat yeh kehna chahta hoon jo pyar aur apnapan bachon ko maa baap se milna chahjiye tha woh nahin milte bachon ko. Isska bura assar padta hai bachon par aur phir teenage mein kadam rakhte hi bache wohi karte hein jo ussklo achcha lagta hai, koyi drugs ke taraf badh jata hai aur koyi prostitution ki taraf. Har ladke ladkiyon ko bahot ziada chhuth mil gayi hai aaj kal ek dusre se milne ko kyun ke maa baap ke paas samaye hi nahin yeh dekhne ko bacha kiss se milta hai, kahan jata hai, kia karta hai…. Kuch pata rakhne ka time hi nahin hai parents ke paas, subha ko kaam ke liye nikalte hein parents aur der raat ko wapas ate hein, bache ke saath thik se time bhi nahin bitate to eise bache kia banenge bhai? Isssi liye aaj kal ke ziada tar teenagers ghalat raaste par hein aur itna kuch ghalat ho rahe hein samaaj mein!! ….. Ab abhi tum log jo jinn ladkiyon ke bare mein baat kar rahe the unn ka environemeent kia hai? Sab jaante ho nah? Uss Kavita ke bare mein baat kar rahe the tum log abhi nah? Pregnant ho gayi choti si umar mein, college girl hai aur pregnant. Iss mein dosh kisska hai? Jiss mahaul mein woh pali badhi hai pata hai tum logon ko? Kaun usski dekh bhaal karta hai? Maa baap unnke saath waqt bitate hein? Akeli rehti hai din bhar, college se wapas ati hai to kitne sare ladke uss se milne jaate hai uss ke ghar, maa baap to hai nahin donon kaam par gaye hote hein aur rat der ko wapas ate hein. Koyi nahin hai usski dekh bhaal karne wala to ladki kia karegi? Kaun ussko samjhega? Eise bahot sare cases hote hein jo pyar aur apnaapan nahin pane ki vajah se bhatak jaate hein. Kayi ladke eise hein jo drugs ki aadi ho jaate hein. Yeh teenage umar hi eisi hoti hai jab har tarah ke cheezon ko aazmaane ka mann karta hai. Yeh eisi umar hai jahan ek direction ko follow karne ka mann hota hai, ek badlaav zindagi mein lane ka mann hota hai… aur ache guide nahin hone ke kaaran bache wohi karte hein jo usske mann mein ata hai. To aaj kal ki ladkiyan iss liye eise ghalat tarah se behave karte hein aur issi liye aaj eise ladkiyon aur ladko ka sankhiya badha hua hai. Main dosh sirf maa baap ko hi dunga! Jiss maa baap ne apne bachon ko sambhala aur pyar diya unn ke bache to sahi hai jeise tum log ho! ….. mujhe yehi kehna tha!!”

Aur woh aadmi ek taraf chala gaya. Samir ne dosto se kaha,

“Yeh to bhaashan de gaya yaar!”

Ek dost: “Magar bilkool sahi kaha jo bhi kaha uss ne!”

Samir: “Sach hai, hum log to apne maa baap ke karib hein. Unn ka control raha hum par chohte se hi, magar uss kavita ko to bahot ziada chhuth mili hai bachpan se!! issi liye woh eisi nikli nah!”

Baad mein Samir sochne laga ke usska soch ghalat tha ladkiyon ke bare mein… shaayad woh ghalat hi soch raha tha aur unn ladkiyon ko kos raha tha aksar…magar dosh unn ke nahin the, eisa Samir ne socha iss baar!!

*************************************************

Ab Samir Samira se milne gaya kayi baar, kabhi college khatam hone ke baad, to kabhi Saturdays ko donon mile, café gaye, pizza khane gaye aur thoda ghumne bhi gaaye. Samir ko usske ziada karib jane mein hichkichahat ho rahi thi.yeh pehli baar zindagi mein woh kissi ladki ke saath tha, pehla kiss bhi nahin kiya tha. To teesri ya chawthi baar milne par Samira ko ek makaan ke piche legaya, donon khade the aur Samira Uss makaan ke deewar par apne peeth kiye khadi thi ke Samir ne ussko deewar se chipkaya aur dhire se apne donon haton ko Samira ke hathon mein dala aur donon ke panje ke ungliyan ek dusre ke pancho ungliyon ko jakre hue the, jab Samir ne apne honthon ko Samira ke honthon par dhire se nazdik kiya aur halke se chuma!! Samira ne enkhen bandh kar liye the magar Samir usske chehre ko nihaar raha tha…aur usski honth ko chumne ke baad Samir ne dhire se kaha, “I love you”….. Samira sharmaayi, sar jhukaya aur dhire se jawaab diya gaalon paar laali late hue, “I love you too” Phir to samir ki lag gayi yaaro….. Ussne, Samira ko uss deewaar se daba diya aur apne jism ka wazan Samira ke pure jism par agaya aur Samira Quaid ho gayi Samir ki bahon mein aur donon ke munh ek dusre ke munh ko chumne lage……

To be continued………………….
 

Top