Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 ➣ Story Entry Thread

Status
Not open for further replies.
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
LW-Fireworks LW-Fireworks
contest-banner-6-png.468

 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
🔷 Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 🔷
⭐Story Entry Thread⭐
━━━━༻❁━━━━━━
You want to be a writer, you must do two things above all others: read a lot and write a lot."
~ Stephen King
"There is no greater agony than bearing an untold story inside you."
~ Maya Angelou

:announce: One says that only few can write story, but I say that everyone has a writer hidden somewhere within oneself, all that is required is to pen down the thoughts and emotions that keep lingering in the mind and you are on track of writing a story.

Yes, that is what Exclusive Story Contest 2022 is asking all Lustywebiyans, Visualize your thoughts, paint your imagination, good to the last drop.

Your writing voice is the deepest possible reflection of who you are. The job of your voice is not to seduce or flatter or make well-shaped sentences. In your voice, your readers should be able to hear the contents of your mind, your heart, your soul.

So guys and gals churn your thoughts and be part of this magnificent event that gives you the platform to exhibit your work to scores of readers and make your name.

The contest is on now and may the best story win.
━━━━━━❁༺━━━━━━
 
Last edited by a moderator:
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
🔶 Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 🔶
💟Story Entry Thread💟

Prizes
Winner :
13.png
+ 5,000 Like Reactions + 30 Day sticky thread (Story Section)
Ist Runner up :
12.png
+ 4,000 Like Reactions + 7 Day Sticky Thread (Story Section)
II nd Runner Up :
3,500 Like Reactions
Best Reader :
14.png
+ 3,000 Like Reactions
Best Reader : Ist Runner Up :
2,500 Like Reactions
Best Reader : II nd Runner Up :
2,000 Like Reactions
Bonus : Members reporting Copied Stories with Valid Proof will get 100 Like Reactions per Each Report.



:announce: Please read rules carefully and if you have any doubts please clear them with the organizers by asking in this thread before submitting your story. If you make any mistake then the decision of the organizers will be final.


:announce:At the end of the contest, if we find that more than one ID of the same person is in the winners list, only one ID of that person (one with the highest rank in winners list) will be qualified for receiving the winner prizes, to make way for other participants in lower positions.
Organizers reserve the right to amend rules at any time of the contest as they seem fit.


Reviews/comments on Disqualified stories will not be taken into account for Readers Award.


:announce:report Copied stories with valid links in Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 ➣ Rules And Queries Thread only otherwise your report won't be accepted.



JUDGING

A panel of judges from the admin team will judge this contest and their decision will be final.

Stories will be judged on two categories and they are originality and quality. 5 points will be for originality and 5 points will be for quality.

A panel of judges will decide the Best reader based on the level of effort the reader has put through in expressing his thoughts about the story while giving reviews.

 
Last edited by a moderator:
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
gifo
INDEX - DIS- QUALIFIED ENTRIES -STORIES ➣
INDEX - DIS- QUALIFIED ENTRIES -STORIES ➣
No.​
Story Name​
Writer name​
1.​
-​
-​
2.​
-​
-​
3.​
-​
-​
4.​
-​
-​
5.​
-​
-​
6.​
-​
-​
7.​
-​
-​
8.​
-​
-​
 
Last edited by a moderator:
ADMIN :D
Senior Moderator
12,165
10,208
145
Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 ➣ Story Entry Thread
Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 ➣ Rules & Queries Thread
Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 ➣ Review & Comments Thread


Pls Don't Use This Thread For Chit Chat Or Spamming. Only Post Your Question In This Thread.

For Discussion And Chit Chat, Kindly Use Lustyweb's Story Contest 2022 - Chit Chat & Discussion Thread All The Unnecessary And Off-Topic Posts Will Be Moved From Here To The Said Thread.
Your Co-operation in keeping this thread spam free will be highly appreciated.

Thank You
 
S

Sahil21

Humari adhuri prem kahanee

Pyaar vo ehasaas hai, jo har kisee ko nahin hota. Ehasaas hi kyu ehasaaso ki ek khubshurate kahani hai. Par ye ehasaas sab ko nahin hota ya u kahu ki sab ke nasseb mai nahin hota.
Pyaar vo samundar hai... jesme doob jaane ka mann karta hai. Pyaar vo manate hai jese har dil mangna ta hai. Par puri sirf kuch nasheeb walo ki hoti hai. Pyaar karna toh aasan hai par usse nibha pana muskil aur usse bhi muskil hai pyaar ka kamyab hona.
Par ye toh sach hai pyaar ehasaaso ki ek adhbhute kahani hai.

Yahee ek ehasaas main aapako bataana chaahata hoon...usse ehasaas se aap sabko bhi rubaru karana chahta hu.

Shaam ka samay tha .... aur main apane dost Anuj ka intajaar kar raha tha.
Steshan ke baahar... hamalog ka baahar kahee ghoomane jaane ka plaan tha aur main jaldee pahunch gaya tha...iska karan ye tha ki mujhe travel karna bhoute pasand hai. Alag alag jagah jaana logo se milna aur dosto ke saath waqt guzarna.
Mujhe ye sab pasand tha iss liye mai waqt se pahle hi steshan aa gaya. Mai waha pahoch toh gaya tha par kuchh samajh nahee aa raha tha kee main kya karoon. Kyuki abhi tak koe dost aaya hi nahin.
Kuchh der idhar udhar ghumne ke baade main steshan ke paas ja ke baith gaya. Mainee ek taraf apna bag rakha aur phire mai apna phone chalane lag gaya, kyuki aur kuch karne ko tha nahin.
Mai apna phone dekh raha tha par, tabhee kuchh aisa hua ki meree jindagee ek alag mod lene vaalee thee.

Steshan kee taraph main dekh raha tha kee mera dost aaya kee nahin tabhee achaanak se meree nazar ek ladakee par padee.
Vo jo vaqt tha main pooree tarah kuchh der ke lie tham sa gaya tha. Belkul filmo ki traah manno sab slowmotion mai chal raha ho. Waqt tham sa gaya ho , background mai romantic music bajne laga ho aur dil mai left side wali ghnti bajne lagi ho.
Main sab bhool gaya tha kee main kaha hoon kyon hoon ?

Bas meree aankhe us ladakee kee taraph se hat hee nahin rahee thee aur is tarah se main use dekhata hee ja raha tha .
Uski tasvir meri aakho se utaar kar meri rooh par ankit ho rahi thi. Usakee maasoom chehara, usakee chhotee-chhotee aankhee, usake maasoom sa chehare pe vo maasoom see usakee hansee jaise maano koee paree ho vo..use dekh pahalee nazar me maano dil ko kuchh hone laga tha.
Ek alag sa ehsaas tha ye jo hume pahle kabhi nahin huva.
Dil ki dhadkan badh gae thi. Mann mai bus ek khawaish ki buss usse dekhta rahu...aur ye lamha kabhi khatam hi na ho.

Kya ye pyaar tha??
Mujhe nahin pata bas dil bol raha tha ki mera dost kuchh der baad aaye ya ye vaqt ruk jae. Hum humesha ke liye bus isse lamhe ke ho jaae.
Mujhe usaka naam jaanana tha...usake baare mein bahut kuchh pata karane ko dil kar raha tha ... lekin kaise karoon ye samajh hee nahin aa raha tha.

Jab kuchh samajh nahin aaya tab mainne bas bhagavaan se praarthana kiya kee mujhe ye ladakee meree jindagee mein chaahie. Kyuki isse ladakee ke saath mai jindagee ki har khushi batna chahta tha aur uske hise ke har dukh khude sahna chahta tha.

Par tabhi dil mai ek dard mahshoosh huva. Vo ja rahee thee....meree aankhon se door mujhe rokana tha use.
Usase baaten karana tha. usase dostee karanee thee aur use apane dil kee baat bataanee thee. lekin kaise ???

Yahee savaal bas baar-baar mere man mein aa raha tha aur mujhe baichain kiye ja raha tha.

Mainne phir soch liya ki meree aankhon se door hone se pahale mujhe isaka naam pata chal jaaye to main isase apana banoonga aur shaayad bhagavaan ne hee use bheja hoga mere lie ye main samajhoonga tabhee bhagavan ne chamatkaar kar diya..peechhe se aavaaj aaya priya main yahaan hoon.


Phir vo peechhe dekhi to mainne dekha vahaan se ek ladakee aavaaj dee aur vo us ka paas chalee gayee..tabhee main samajha us ladakee ka naam priya tha.

Main khush ho gaya aur us ladakee ko man kiya ja ke dhanyavaad bol doo kyonki usee ke vajah se mujhe us ka naam pata chala....bas tabhee mainne thaan lee ab use apana banaana hai, use apanee jindagee mein laana hai.

Phir tabhee mai usake pichhe jaane laga ki achaanak hee peechhe se ek haath aaya. Peechhe dekha to dost aa gaya tha.
Jese dost ka khuch pal pahle hum intezaar kar rahe the uss dost ko dekh kar ab main kya karoon samajh nahin aa raha tha..main kya boloon usase..kaise mana karoon usase?..kaise jaoo main us ke peechhe ? main isee soch mein laga raha raha tab tak vo meree aankhon se door ja chukee thee dil maano rone laga tha aur tabhee maano aisa laga ki jaise sab kuchh ek sapana sa tha bas aur aankhe khul gaya to sapana toot gaya.
Main vaha se chala to gaya apane dost anuj ke saath lekin pooree raaste bas anuj ko mann se gaaliya deta raha aur jab mann thoda khali huva toh priya ke baare mein sochata raha.

Maano mera dil ab usake khyaal se nikalane ko taiyaar hee nahin tha.
Doosare din main kolej lie taiyaar ho gaya aur main kolej panhucha...aur bench pe ja ka baith gaya..tabhee anuj ne bulaaya aur kaha dekh apane kolej mein ek naee ladakee aayee hai.
Mera man abhee bhee bas usee ke khyaalon me dooba hua tha.
Aankhon se us ka chehara mano hat hee nahee raha tha...vo baar baar mujhe aavaaj diye ja rahee tha.
Tabhee mujhe gussa aaya aur aana bhi lajmi tha kal anuj ki wajah se mai priya se nahin mile paya aur ab jab mai apni priya ke khayalo mai khoya huva tha tab bhi isse chain nahin hai.
Kal jo dost mujhe jaan se payara tha vo mujhe ab manhoos lagne laga tha. Pata nahin kyu par sach yahi tha yaha mai ye sab soch raha tha vahi vo abhi bhi laga huva tha mujhe awwaz dene mai toh mai ghusaa hokar peechhe usase bolane ja hee raha tha ki main ruk sa gaya.

Meree najar maano phir se ek baar sapanon me chala gaya. Mainne dekha kee vahee thee.
Maano jaise meree khushee ka koee thikaana nahin raha main khud ko rok hee nahin pa raha tha aur mere samajh mein hee nahin aa raha tha kee main kya karoo ? kya bolata main, bas ja ke apane dost ke gale lag gaya... Ab wapas mujhe anuj apna sab se accha dost mahshush ho raha tha.. 2 min. Pahle jese mai gaaliya nikal raha tha ab mai usse duwa de raha tha.. ittna ajeeb vehwar maine kabhi nahi kiya par pata nahi priya ko dekhne ke baade se mujhme bhoute kuch ulta fhulta chal raha tha.
Aur jab mujhe abhee ye pata chala ki vahee vah naee ladakee thee jo kolej mein aaj pahala din aayee thee.

Main to maano hava me udane laga... anuj ne mujhe pucha ki aakhir majhra kya hai...kyuki vo janta tha mujhe acche se ...aur kal se jo mai ajeeb vahwar kar raha tha..iss karan usse yakin ho gaya ki kuch gadbade hai...phir uske kahne par mainne anuj ko bataaya kee aisa aisa hai..usane kaha ja ke bol de use apane dil kee baat.. lekin main darata tha... ki vo kya kahegee..kya lagega use..yahee soch ke main hamesha ruk jaata tha.

Main sochane lagata tha ki kahee vo meree baaten sun ke mujhase door na ho jae. Yahi hota hai jab hum kisi ko khude se jayada chahte hai toh khude ko chahie kitni bhi talklif kyu na ho saamne wale ko agar humari wajah se thodi se bhi taklif hone ki ghunjaish ho toh hum himmate nahin kar paate.
Main usase door nahin hona chaahata tha. mujhe ye ehasaas ho gaya tha ki shaayad vo bhee mujhe pasand karatee thee...lekin vo kabhee kuchh nahin kahatee thee.
usase lagata ki mere man mai us ka lie kuchh nahin hai. lekin vo kya jaane ki use pahalee najar mein dekh ke hee mainne use apana dil de chuka tha.

Din beetate gae hamalog ek achchhe dost kee tarah saath rahate aur baate karate the..lekin na kabhee mujhe himmat hua usase kuchh bhee kahane ka na aur hee use.
Vaqt beet gaya aur is tarah hamalog kee padhaee pooree ho gayee. lekin mere dil me usake ke lie abhee bhee pahala aur aakharee pyaar tha aur shaayad us ke lie bhee.
Aur is tarah se hame sabako alag alag kampanee me job lag gaee thee tabhee bas ek din mainne soch liya ki ab bas.. main usase kal ja ke dil kee baat bata doonga.
Main agale din subah utha aur mainne use fon kiya aur usase kaha kee mujhe milana hai usase ..usane milane ka lie haan kar diya aur is baat se mujhe bahut khushee mila. hamalog ne ek samay nirdhaarit kiya tha aur main samay se pahale vahaan usaka intajaar kar raha tha ....tabhee meree najar us pe padee.. vahee kapade..vahee baig.. vahee chhotee-chhotee aankhe aur chehare pe vahee pyaaree se muskaan, maano aisa lag raha tha..kee vahee pahala din ho..jab mainne use pahalee baar dekha tha..vo dheere dheere aa rahee thee.
Aaj bhi wahi dhimme dhimme hawae bah rahi thi , time jese slow ho gaya tha aur wahi romantic song aaj bhi background mai baj raha tha. Dil ki dhadkan kaafi tej ho gae thi. main to bas use dekhata hee ja raha tha..phir vo paas aatee hai..phir vo mere saamane baith jaatee hai..tabhee bas..mainne usase kaha kee mujhe kuchh kahana hai usase.
Phir tabhee usane bhee kah diya kee mujhe bhee kuchh kahana hai tumhen ...main khush ho gaya.. mujhe laga kee aaj vo bhee apane dil kee baat bol degee...phir mainne usase kaha diya ki tum pahale bol do...usane to pahale mana kiya pahale bolane se..lekin mainne hee jid kar diya... ki pahale tum bole aur vo bolane ja rahee thee.
Maano meree saans ruk gae the..usakee baate sunane ka liye...sab kuchh tham sa gaya...bas aisa laga main aur vo..aur kuchh nahee hai aas-paas... aaj dil ko manno sukoon milne wala tha.
Jes lamhe ka intezaar mene ittni saalo se kiya vo aaj pura hone wala hai. Mai buss in khayalo mai tha ki tabhee phir usane apane baig se ek kaard nikaala..aur diya mujhe...vo jo pal tha.

Vahee pahala pal..jab mujhe laga ki mera sapana tha..aur sapana toot gaya...us kaard main usakee shaadee ka aamantran tha...bas..phir kya..sab kuchh vaheen ruk gaya...dil mai ek bhout tezz tise uthhi...shaayad aaj saas tham si gae thi..jaha khuch pal pahle mai khude ko duniya ka sab se khushnaseeb insaan mann raha tha..wahi ab mai khude ko sab se dhukhi aur bebasse pa raha tha.
Bhagwan ne toh mujhe usse milaya tha par shaayad mainne bahut der kar dee usase apanee dil kee baat bataane me..shyaad bahot-bahot der... phir usane mujhase poochha.. ki tum kya kahana chaahate the ? main kya kahata tab..baat badal dee..aur vo chalee gayee...aur main vahee baithe rah gaya....mujhe use apana banaane ka bas ek sapana hee tha shaayad.......jo ek samay pe aa ka toot gaya....vo aaj ka din aur pahala din...maano kyon aaya tha meree jindagee main ab tak ye baat samajh nahee aaya.... pahala din bhee ek sapane kee tarah aaee aur kuchh der baad toot gayee...aur ye aaj ka pal..jo phir se ek sapana banakar pal mai toot gaya........ iseelie doston kabhee bhee apanee dil kee baat bataane me der na karo... varana itana der ho jaata hai ki....apane pyaar ko bas sapane main hee apana banaana pad jaata hai... aur jab essa hota hai na toh sach kahta hu jaan toh nahin niklti par jindagi bemtlab se lagne lagti hai. Har par ek ajjeb sa khalipan mehshossh hota hai. Isse liye agae aap kisi se pyaar karte ho toh usse apne dil ka haal bata do..kahi essa na ho ki aap sahi waqt ka intezaar karte rahe aur aapko pata chale ki waqt hi nahin raha...

-The End
 
Last edited by a moderator:
Member
1,531
1,618
143

~Preem milan~

Rahul aaj apne ghar me udash sa baitha hua tha kya nahi tha uske pass uncha ohda rupya paisa naukar chakar aur bahut bada bangla sabkuch tha lekin fir bhi udash baitha tha wo kyu ish ko samjhne ke liye hamko uske piche samai Jo hua un ghatnaon ko samjhna hoga.
To kahani ki suruaat hoti hai Raaj Jo ek safal businessman tha aur unki chulbuli sararati wife Dr.Naina ji aur in dono ke pyaar ki nishani Rahul unka pyara beta jishme un dono ki jaan basti thi.lekin Rahul bachpan se bahut sararati tha itna sararati tha ki Jo bhi milta so uski naak me dam kar deta tha ye dekhkar Raaj ko kabhi kabhi bahut gussa aata tha lekin Rahul ki mom ko usse bada masoom duniya me nai dikhta tha aur Raaj waise to bahut gusse wale the lekin apni biwi ke aage unki kuch nai chalti thi to ishiliye Rahul bahut jiddi aur bilkul careless tipe ka banda ban gaya tha..Rahul jab college me pahuncha to wahan wo pahli baar kisi ke preem jaal me fans gaya Jo ek bahut hi bholi pyari masoom ek minute yahan masoom ka matlab wo sach wala masoom hai okay..to us ladki ka naam tha Mahi jiske pyaar me Rahul fans gaya aur bahut kosish ke baad Mahi ko bhi usse pyaar ho gaya dono sath rahte ghumte firte enjoy karte (enjoy ko sex na samjhna) Mahi aur Rahul ki pyaar ki bhanak ek din story ke khalnayak yani ki Raaj ji tak pahunch gayi to ek din wo khud mahi ke ghar jakar usse mile.. Mahi ke mata pita hairaan the ki itna bada aadmi unke yahan aaya hai..khair Raaj achcha insaan tha sabse pyaar se mila aur usne Mahi se Kahan ki Rahul ki sonch aur Zindagi jine ka Jo tarika usse undono aage jakar bahut problem hogi life me kyuki Rahul jimmedar nahi hai aur isks piche uski ma ka hath hai mai chahta hun tum meri madad karo aur Rahul ko jindgi me jimmedar insaan banane me meri taki tum dono baad me khus raho..mahi me puncha kya karna hoga to unhone kaha ki tum Rahul ko chhod do ye bolkar ki tumhari khud ki koi pahchan nai hai ishiliye mai tumhare sath nai rah sakti hum dono ke rashte alag hain..iske baad wo chale gaye to mahi ke maa baap ne bhi wahi kaha usko ki Raaj ji bilkul sahi baat bolkar gaye hain jaisa unhone bola hai waisa karo..mahi ka dil nai maan raha tha lekin do botal vodka pikar usne Rahul ka dil tod diya bahut buri tarah se.. breakup ke baad Rahul bilkul bikhar sa gaya usko uski mom ne badi muskil se samhala usko bolkar ki kahe pareshan hota hai mai tere liye line laga dungi tension mat lo lekin Rahul ko baat dil me lag gayi thi usko kaamyaab banna tha har haal me..

Rahul ne dhere dhere khud ko badalna suru kiya aur wo kamyaab raha aur apni ma ki tarah wo bhi doctor bankar kuch din baad baad papa ka business join kar liya kyuki uske papa ka business bahut bada tha aur wo eklauta tha to ushi ko dekhna tha..7 shaal bahut hota hai duniya badal jati hai log badal jate hain Rahul ki kismat bhi badal gayi thi lekin insaan ki fitrat hai Jo hota hai uska sukh kam Jo nahi hota hai uska gum Jada hota hai to ishiliye aaj Rahul udas tha use wo gujre hue lamhe yaad aa rahe tha waise wo apni life me aage badh chuka tha lekin idhar kuch din se uske papa uski shadi ke liye usko bol rahe the ki ab waqt aa gaya koi ladki ho tumhari nazar me to bata do nahi to hum hi dhunte hain kisi ko.. Rahul ko fir kisi se pyaar na hua dobara wo aaj bhi us gum ko bhula nai tha usko kisi ladki par yakin nai tha.. Rahul ne bol diya usko shadi nai karni kisi se to Raaj ne kaha ek ladki hai meri nazar me usse mil lo ek baar aur aaj wo ladki milne aa rahi thi aur idhar ye Rahul udas ho gaya tha purani baten sonchkar wo apna gujra hua Kal bhul nai pa raha tha.kuch der me uske papa ki aur mom aur mom uske pass aaye aur bole taiyaar ho jao hum ladki ke ghar chal rahe hain..Rahul ko lekar wo log chal diye aur Rahul apni sonch me gum tha kuch der baad Rahul ko wo rashta kuch Jana pahchana laga kyuki ye rashta to mahi ke ghar jata tha aur had to tab ho gayi jab wo log mahi ke ghar ke aage ruke Jo aaj bahut saja dhaja hua tha..Rahul ne puncha yahan kyu aaye hum log to uske papa ne bola aaj mahi ki sagai hai jisko sun Kar Rahul ko mare gussa aur dukh ke pareshan ho gaya

Rahul jab kafi samjhane ke baad Mahi ke ghar ke andar gaya Jahan mahi ke papa bahut pyaar se mile aur sabko unhone chai nasta karaya uske baad mahi ko bulaya gaya to pata chali ki emergency case aa gaya hai ishiliye mahi ko Jana pada hai kyuki mahi ka koi dost hai jisko koi problem hui hai to usko Jana pada achanak se..ye sunkar Rahul hairaan ho gaya ki mahi bhi doctor ban gayi thi filhaal sab intzaar karte rahe aur mehmaan log sab kha pikar chale gaye dhire dhire han ek baat notice ki Rahul ne ki wo ladka na mila usko jiski mahi ke sath sagai honi thi aaj..fir wo log bhi ghar aa gaye kyuki mahi lo pata nai kitna time lagna tha

Ghar aakar Rahul apne dad se lad gaya ki usko wahan lekar kyu gaye the to Naina ne usko bataya ki jis ladke ke sath mahi ki sagai honi thi wo aur koi nai tum ho to Rahul ne kaha ki aisa kaise ho sakta hai tab Raaj ne usse mafi mangte hue usko Puri baat batai.. unhone bataya ki mahi ne kaha ki Rahul kuch bane na bane to bhi wo Rahul ke sath rahegi Han wo khud ko is qabil banayegi ki agar Rahul jindgi me nakaamyaab bhi hua to wo samhaal legi sab akele hi har haal me usko Rahul ka sath chahiye..To uske papa ne usko Naina ko hawale Kar diya Jo uspar bahut gussa thi lekin Puri baat samjhkar unhone uski help ki aur doctor ban gayi to ab wo dono hi Life me safal the to ab uski shadi fix ki gayi thi..ye sab Rahul pareshan ho gaya mahi se Milne ke liye

Dusre din Rahul jakar mahi se mila sare gile sikwe door hue dono ke fir dhum dhaam se shadi ho gayi dono ki jish me Rahul ka khas dost ladkiyon ke sath nach ga raha tha aur gana tha ye wala...


Aaj mere yaar ki shaadi manne koi roko na
Udenge note gulaabi manne koi toko na
Aaj mere yaar ki shaadi manne koi roko na
Udenge note gulaabi manne koi toko na
Kalle ka khot koi na
Gella mere yaar kameene gella mere yaar kameene
Yaari ki kasam khavan ke
Pad gaye manne peg ye peene pad gaye manne peg ye peene
Bottle meri....bottle meri.......
Reh ri aadhi isne koyi khoso na
Aaj mere yaar ki shaadi manne koi roko na
Udenge note gulaabi manne koi toko na
Aaj mere yaar ki shaadi manne koi roko na
Udenge note gulaabi manne koi toko na
Aaj mere yaar ki shaadi oye......
Banda main gental mental ho gaya pee ke angreji
Handle karni situation ghar kya ke shaami peshi
Arrey koyi na kar lenge handle
Aaj jee lo pee lo khul ke koi bhadak nai leni
Saare nacho khul ke DJ aaj poori raat baajan de beat
Jo roke saala uske maaro Itt
Repeat chala de gaane gel se mere saare yaar purane
Bhool ke zindagi ke roule saare bolo bam bam bhole
Om namah shivay
Sunn re bhai DJ aale
Laade tagda sa gaana laade tagda sa gaana
Baajan de yaar purane
Yaara ne dhumma thaana yaara ne dhumma thaana
Pal pal manne pal pal manne jeena
Aaj mere sir pe koyi bhoko na
Aaj mere yaar ki shaadi manne koi roko na
Udenge note gulaabi manne koi toko na
Aaj mere yaar ki shaadi manne koi roko na
Udenge note gulaabi manne koi toko na
Aaj mere yaar ki shaadi oye......
Khatri ki beats re

Arrey baajan de ne yaar khatri
 
Last edited by a moderator:
R

Rockstar Rocky

Kon Galath kon Sahi?

Ye kahani hai Priya aur Sooraj ki. Dono ek dusre ke saath school me padte the. College me bhi dono saath the aur college me hi dono ko ek dusre se pyar ho gaya. Dono ka pyar ek dusre ke liye itna gehra tha ki college me sab jaante the ki inki marriage ho jaayegi. Aur ho bhi kyu na jab se inhone hosh sambhala hai aur inko pyaar ka mtlab samjhe aaya hai tab se inn dono ek dusre ko apna jeevansaathi maan liya hai...aur in dono ka rahne ka tarika aur ek dusre ke liye vo deewangi sabko ye samjhane ke liye kaafi thi ki ye dono ek dusree se sacha wala pyaar karte hai.

Dono ko ek dusre ki bhoutee jayada fiker thi. Yee kahna galath nahin tha ki ye do jism aur ek jaan the. Chote ek ko pahochti thi par dard dono ko hota tha. Jab ek baar Sooraj ka bike se accident ho gaya tha tab priya 1 mahine tak chain se so nahin paae. Dinn raat bus sooraj ka dhyaan rakhti thi. Usse kis time konsi medicience deni hai kab konsi tube lagani hai , sab ka dhyaan priya rakhti thi. Aur jab priya ko tonsil huva tab sooraj uska dhyaan rakhta tha....college ki canteen me jab bhi Priya Ice Cream khati thi to Sooraj use aksar kehta tha " Priya…Ice Cream mat khao, sardi lag jayegi" Sooraj Priya ki bahut care karta tha aur kabhi ice cream nahi khane deta tha. Kuch bhi jayada thanda ho ya koe khatai vo priya ko usse khane nahin deta tha...kyuki doctor ne priya ko inn sabhi ke liye mana kiya tha.

College khatam hone ke baad Sooraj ki ek acchi company me job lag gayi aura ab Sooraj jaldi se Priya ke saath shadi karna chahta tha...aur life mai settle hona chata tha.
Ek din dono saath me baithe the aur dono ne apne ghar marriage ki baat karne ka faisla kiya... ye faisla unhone bhoute pahle hi kar liya tha par dono ko darr tha aur vo bhi bewajah nahin. Dono alag alag caste se the , iss karan dono ko andesha tha ki agar undono ne apne gharwalo se shaadi ki baat ki toh vo inn dono ka milna bhi bande kara denge...iss liye dono ne graduation ka wait kiya aur ye decide kiya ki jab tak vo dono apne pairo par khade nahin ho jaate tab tak vo shaadi ki baat apne gharwalo se bilkul nahin karenge. Aur jab ab vo dono apne apne pairo par khade ho chuke the toh dono ne ye faisla kiya.

Dono ghar gaye aur dono ne apne-apne maa baap ko apne pyar ke bare me bataya. Dono ke rishtey me sabse badi rukavat thi unki caste. Sooraj pandit caste se tha aur Priya Rajpoot caste se thi. Jab Priya ne apne gharwalo ko Sooraj ke bare me bataya to wo bahut naraz huye lekin aakhirkaar maan gaye. Kyunki, unhone socha ki ladka padha likha hai aur acchi naukri bhi karta hai isliye unhe zyada problem nahi thi.

Jab Sooraj ne apni family se Priya ke bare me baat ki to unke oopar to jaise dukh ka pahad hi toot gaya ho. Sooraj ke pita ne is rishtey ke liye saaf mana kar diya. Lekin Sooraj Priya se saccha pyar karta tha aur har haal me usi se shadi karna chahta tha, isliye wo bhi zidd par ada raha aur usne ghar chodne ki dhamki de di. Itna sunte hi Sooraj ke pita ko heart attack aa gaya. Sooraj aur uski maa Sooraj ke pita ko hospital le kar gaye. Waha Sooraj ki maa ne bataya ki "Tumhare pita ne tumhare liye ladki dhoond li thi aur wo tumse baat karne wale the. Unhone ladki ke parivar se bhi baat kar li thi. Ab tum please Nisha se shadi ke liye maan jao"

Sooraj ek dharam sankate mai ghire gaya tha. Ek taraf uske pitah the jenhone aaj tak uski har khawaish puri ki. Usse aaj iss kaabil banaya ki wo apne pairo par khada ho sake. Uske pitah ne na jaane kitni taklif sahane ki aur sooraj ko padhaya aur kaabil banaya. Aaj sooraj agar kaamyab tha toh uske kaamyabi ke liye uski pitah ne bhoute kuch koorbaan kiya tha. Apna sapna..apna jeevan...sab kuch.

Wahi dusri taraf thi Sooraj ki dhadkan uski priya jeesne har pal uska saath diya. Sooraj ke har kadam ki prerna thi priya. Uske har kadam par prerna ne uska saath diya tha...jab jab sooraj ko jarurate thi prerna uske saath khadi thi.

Ab Sooraj esi dharm sakate mai tha, ki vo kise chunne. Agar vo priya ko chunta hai toh ek Aashique toh jeet jaega par ek beta haar jaaega...aur ho sakta hai iss haar ka bojh usse apne pitah ki mout se chukana pade.
Aur agar vo apne pitah ko chunta hai toh ek beta toh jeet jaaega par ek aashique mar jaae ga.
Priya wo ladki thi jisse Sooraj shadi karna chahta tha aur Nisha wo ladki thi jisse Sooraj ke pita uski shadi karvana chahte the.
Bete aur Aashique ke iss janug mai koe bhi jeete par haar toh sooraj ki hi honi thi. Agar usse apni zindagi roshan karni thi toh usse uski maa ke jeevan par grahan lagana tha...aur agar nahin toh apne jeevan par.
Aakhir pita aur pyaar ke bich sooraj ne pitah ko chuna... Sooraj haar gaya aur usne Nisha se shadi kar li.

Shadi se pehle Sooraj aur Priya ne ek dusre se phone par baat bhi ki thi, bahut roye the dono aur dono ne ye kurbani dedi. Sooraj ne apne pitah ke liye aur Priya ne sooraj ke liye. Priya ne sooraj se kaha tha " Sooraj , Maa -Baap badee naishbo se milte hai... hum bacho ke liye wo kitna kuch sahte hai ye hum andaza bhi nahin laga sakte...unhe taklif dekar hum kabhi kush nahin rah sakte...Jab humne pyaar kiya tha tab hum anjaane the par aaj sabkuch jaan kar apno ki kabar par hum ishq ki imaarate nahin bana sakte...Hum humesha acche dost rahenge par jeevansaathi bnne na ...humari kismate mai nahin"
Aur ye kah kar Priya ne phone cut kar diya uss raat dono koob roe the...aakho ke aasu sookh chuke the par dil tha jo chup hone ka naam hi nahin le raha tha.Waqt beeta par usse dine ke baad Sooraj ne Priya ko kabhi call nahi kiya aur na hi Priya ne Sooraj ko.

After 5 Years (5 Saal Baad)

Paanch saal baad Sooraj ke college ka reunion tha aur Sooraj ko bhi invitation tha. Isliye, Sooraj apni wife Nisha ke saath college reunion me jaata hai aur waha Priya ko dekhkar surprised ho jaata hai. Old memories uske dimag me ghoomne lagti hai. Priya apne husband ke saath aayi thi. Almost sabhi ki shadi ho chuki thi aur sab khush lag rahe the.

Reunion party ke end me Sooraj aur Nisha lunch kar rahe the. Unke saath me 2 seats bhi khali thi aur Priya ke husband ne Priya se waha baithne ko kaha. Abe k baar fir Sooraj aur Priya aamne saamne the lekin waha par sirf khamoshi thi.

Abhi Sooraj lunch kar hi raha tha ki Priya ice cream lekar aa jati hai aur khane lagti hai lekin tabhi Sooraj ke zuban se nikal jaata hai "Priya….ice cream mat khana varna sardi lag jaayegi.."

Priya aur Sooraj ek dusre ki taraf dekhte hai aur……. Silence…….

Sirf khamoshi………

Priya ke husband aur Sooraj ki wife sab kuch samajh jaate hai lekin kuch nahi bolte.

Friends, kya aapko lagta hai ki ye kahani yaha par end ho sakti hai? Nahi….Bilkul Nahi.

Sooraj ke pita ne apni zidd aur shaan ke liye sirf sooraj ki hi nahi balki 4 zindagiyan barbad kar di. Mujhe nahi lagta ki ye charo kabhi khushi se reh payenge. Yakeenan Sooraj aur Priya ek dusre se saccha pyar karte the lekin maa baap ki zidd kea aage haar gaye.
Par yaha Galath kon hai,
Kya Sooraj aur Priya galath hai?
Jenhone ne ye faisla kiya ki unki prem kahani ki kaamyabi se kahi jayada jaruri hai unke gharwalo ke khushiya.
Kya unke life partner galath hai?
Jo shayad apne maa baap ki baat maante huwe kisi anjaan se shaadi ke liye taiyaar ho gae.
Kya unke maa baap galath hai?
Jenke faisle galath ho sakte hai par unki niyate kabhi galath nahin ho sakti jo kewale apne baacho ka bhala chahte hai.
Kon Galath kon Sahi?
Jawab bus yahi ki pta nahin.
Isse kahani ko padh kar aap kya feel kar rahe ho comment me zarur bataye ga.


The End
 
Last edited by a moderator:
Member
1,201
3,267
143
Veerakshi ki Love Story
Yah kahaanee hain meree (Veer) aur Sakshi kee love story ke baare mai. Ye un dinon kee baat hain jab main (Veer) kolej mein admission ke lie pahalee baar sains kolej gaya tha. Us din main bahut hee khush tha kyonki sab ki tarah kolej ke liye mai bhee excited tha. Mere lie bhee kolej bilkul naya anubhav tha. School se door kolej kee vo aazaadee vo naye logo se milane kee utsukata, khul kar jeene kee aazaadee aur dil mein lie kaee umangen meree muskuraahat aur chehare kee chamak se saaf baya ho raha thi.

Yah sab soch kar main bahut hee khush tha julaee ka maheena chal raha tha chaaro or hare – bhare ped paudhe chaaro or hariyaalee chhaaye huve thi. Usape vo dheeme – dheeme baarish ka hona aur thandee havaon ka chalana aisa lag raha tha maano prakrti bhee mere aane ka svaagat kar rahee ho.

Sach mein kolej ka vah din bilkul suhaane sapane jaise tha jo us din sach mein hua tha mujhe pahale din se hee us kolej se ek lagao ho gaya.


Kuchh to baat tha us kolej mein jo mujhe mere aane vaale sunahare yaadagaar pal dene vaala tha. Mera admission ho gaya aur ab main kolej bhee jaane laga tha pahale hee din se mujhe kaee achchhe dost mil gae. Mujhe jab bhee mauka milata tha kainteen mein jaakar garama garam samose aur chaay kee chuskee lekar praakrtik ka aanand leta tha jo mujhe sukoon deta tha.
Phir ek din main apne class khatam kar kainteen kee or ja raha tha tabhee mainne door khadee ek ladakee ko dekha.

Us ladakee ka chehara to main theek se dekh nahin paaya par usakee vo hava mein laharaate hue baal aur sundar green salavaar ne mujhe kuchh der ke lie usakee taraph aakarshit jaroor kiya. Mainne socha kee use theek se dekha jaaye par itane mein hee vo apane class mein chalee gayee par itana jaroor jaan gaya tha kee vah ladkee computer science kee student hain.
Phir kuchh din ke baad jab main apane doston ke saath khaalee class mein baith kar khidakee se thandee havaon aur halkee baarish ka aanand len raha tha. Tabhee meree nazar ek ladakee par padee, baarish mein bheegee huee vah ladakee usake sundar gore chehare par baarish mein bheege kaale baal bahut hee aakarshak lag rahen the.
Tabhee meree nazar usake salavaar par padee aur mujhe yaad aaya kee ye to vahee ladakee hain jise mainne kuchh din pahale kainteen ke paas mein dekha tha. Main bhaagata hua class se neeche utar kar kolej ke main gate ke paas pahuncha kyonki mujhe use kareeb se dekhana tha par afasos mere aane se pahale hee vah ja chukee thee.
Usake baad se to jaise meree aankhe sirph us ladakee ko hee dhoondha karatee thee aur har ladakee mein main usee hee talaash karata tha.
Phir vo din aa hee gaya vah guruvaar ka din tha subah ke kareeb 10 : 30 baj rahen the vaise to main hamesha kolej 10 baje tak pahunch jaaya karata tha par us din thoda late ho gaya.

Par kahate hain na jo hota hain achchhe ke lie hota hain jab meree us ladakee se pahalee mulaakaat kolej ke paarking area mein hua jahaan vah apanee scotty park kar rahee thee aur main apni bike park kar raha tha.
Us din mainne pahalee baar use paas se dekha meree dil kee dhadakan jor – jor se dhadakane lagi. Vah ladakee itanee sundar thee aur usake chehare mein itana aakarshan tha kee main sab kuchh bhool kar bas use hee dekhata raha meree nazare usase hatee hee nahin aur door jaane tak main use dekhata hee raha.

Us din se meree duniyaan pooree tarah se badal gayee kyonki us din ke baad se main saamaany duniyaan se pyaar kee khoobasoorat duniyaan mein aa gaya tha. Jo bahut hee khoobasoorat hoti hain us din ke baad se mujhe duniyaan aur bhee khoobasoorat lagane lagee thi.

Main jab bhee use dekhata tha jaise lagata tha background mein music chal raha ho...aisa mahasoos hota tha jaise main havaon mein ud raha hoon sach mein vah feeling bahut hee sundar hoti hai...jise shabdo mein baya karana mushkil hain.

Us din se mujhe kolej jaana aur bhee achchha lagane laga tha kyonki kolej mein ab koee aur bhee thee jisase mera dil lag gaya tha...Din beetata gaya isee tarah jab mai ek din usake class ke baahar khada tha to unakee sahelee ne usakee or ishaara karate hue usaka naam pukaara jisase mujhe ye pata chala kee usaka naam Sakshi hain.
Tab se hee Sakshi naam mere lie duniyaan ka sabase sundar naam ban gaya kyonki ab mere din kee shuruvaat Sakshi ke naam se hoti thi aur raat bhee sakshi ke naam par hee khatam hoti thi.
Ab main bhee ek sachche aashik kee tarah apana aur Sakshi ka naam Veerakshi (Veer+ Sakshi) apane desk aur apane kopee par likhane laga tha.
Na jaane kyon par Sakshi ka naam mujhe apane naam ke saath jodane mein ab bahut khushee milata thi.
Sakshi jab bhee mere paas se gujaratee thee mere dil kee dhadakan badhane lagati thi par andar hee andar ek ajeeb see khushee milati thi aur dil mein gitaar bajane lagate the...dheere – dheere hee sahee par ab sakshi ko bhee ehasaas hone laga tha kee main use dekhata hoon. Phir ek din main kuchh door khada use chupake nazaro se dekh raha tha saath hee apane doston se bhee baat kar raha tha. Sakshi bhee mujhase kuchh door khadee apanee saheliyon se baat kar rahee thee isee beech sakshi ne bhee mujhe dekha aur ham donon ne pahalee baar ek doosare ko dekha.
Dheere- dheere hee sahee par kuchh sakaaraatmak cheeze hone lagee thi jo ek pyaar kee pahalee nishaanee hota hain jaise kainteen mein ek nishchit samay par hamesha kee tarah milana.
Subah parking ka ek fix time par roj ka milana aur kolej kee chhat par doston ke saath vo mastee karana. Yah sab kuchh yah darshaata tha kee ab mere aur sakshi mein kuchh to connection ban rahe the jise na vah samajh pa rahee thee na hee main vaqt beetata gaya aur thand ka mausam bhee aa gaya.
Ek din jab main subah – subah kolej ke gaardan mein dhup mein apane doston ke saath baith kar book padh raha tha...tabhee mere ek dost ne mujhase kaha kee aakeah tumhen koee dekh raha hain mainne usase poochha kaun dekh raha hain to dost ne mujhe apane daen taraph dekhane ko kahaan... jab main apane daen or dekha to main thoda stabdh rah gaya aur achaanak se mera dil jor se dhadaka kyonki vah koee aur nahin balki sakshi hee thee.... jo kee apanee saheliyon ke saath baat kar raheen thee jaise hee mainne sakshi ko dekha to vah bhee mujhe muskuraate hue dekha....gulaabee salavaar mein aur khule baalon mein usaka yoon pyaar se muskuraana usakee khoobasooratee ko aur bhee badha raha tha.
Us din sakshi kee aankhon mein kuchh aisee baat nazar aa raha tha maano kee jaise vo kuchh kahana chaahatee ho....abhee tak to main hee use chhup kar dekha karata tha par usane bhee mujhe dekha to main andar hee andar khushee se jhoom raha tha....abhee tak to ham jab bhee milate the to bas aankhon hee aankhon mein baat hota tha par kabhee sakshi se baat karane kee himmat nahin hue...par ab mainne faisla kar liya yaheen sabase achchha mauka hain sakshi se baat karane ka dostee karane ka....agale din main kolej yah soch kar gaya kee aaj to baat karana hee hain to aaj main kolej jaldee chala gaya aur kolej kee parking se kuchh door hee usaka intajaar karane laga....kyonki subah ka samay sabase achchha tha vah akele hotee thee aur aas paas bhee jyaada koee nahin hota tha...kuchh minat ke baad hee sakshi aa gaee main pahale to thoda ghabaraaya par khud ko relax kar baat karane ke lie aage bada.
Mainne sakshi ko helo kaha usane bhee javaab mein hi kaha mainne poochha kaise ho sab kaisa chal raha hain life mein to is par sakshi ne kaha theek hee hoon bas study ko lekar thoda tension hain.
Is par mainne bhee kaha kee study ka tension to mujhe bhee hain par aap to Computer Science vaale aur main science vaala aapako to jyaada tension hoga hee.... Is par sakshi ne muskuraate hue mazaakiya andaaz mein kaha achchha to tumhen kaise pata main computer science kee student hoon tum mujhe notice karate ho na... phir mainne kahaan nahin aisee baat nahin hain mainne kaee baar aapako computer science vaale departament ke taraph hee dekha hain.

Is tarah hamaaree pahalee mulaakaat kee baaten bahut hee saamaany aur sahaj thi jo pooree tarah kolej life aur study par baaten huee bilkul ek achchhe dost kee tarah jo kee bahut achchha tha....isase yah pata chal gaya kee sakshi na sirph dikhane mein sundar hain balki vah ek achchhee ladakee hain aur vah dil kee bhee bahut achchhee hain....isase yah to pata chal gaya kee sakshi mere saath comfortable hain is tarah sakshi aur main kabhee- kabhee milane lage.
Dheere- dheere ham donon ek achchhe dost ban gae aur ek doosare ko achchhe se jaanane aur samajhane lage. 4 maheene kee dostee ke baad dekhate hee dekhate sakshi bhee mujhe pasand karane lagee thee...isaka andaaza mujhe tab hua jab meree tabiyat kharaab ho gayee the jisake kaaran main 4 din se kolej nahin ja paaya tha...is beech mere doston ne mujhe bataaya kee sakshi tumhaare baare mein kaee baar poochh chukee hain kee tum kolej kyon nahin aa rahen ho... isase yah pata chalata hain kee sakshi ko bhee meree phikr hone lagi hain aur mere na aane par vah bhee udaas ho jaatee thee vah jaanana chaahatee hain kee main kolej kyon nahin aa raha hoon.... is prakaar mainne bhee yah phaisala le liya kee ab is rishte ko aage badhaane ka samay aa gaya hain aur is dostee ke rishte ko pyaar ka naam dene ka samay gaya hain.

Phir mainne yah phaisala kiya kee main 20 novermber ko apanee sakshi ko apane dil kee baat bata doonga sakshi ke prati apane pyaar ka izahaar kar doonga. in beete dinon mein main aur meree sakshi ne kaee khoobasoorat pal saath mein bitaaye the jaise kainteen mein doston ke saath khoob mastee karana, to kabhee saare friends mil kar long drive par saath mein jaana, to kabhee saath baith kar antaakaksharee aur truth and dare khelana, to kabhee kolej kee chhat par mastee karana, to kabhee library mein saath padhana sach vo pal bahut hee yaadagaar the.

Dekhate hee dekhate 20 november ka din bhee aa hee gaya yah din mere lie bahut hee khaas tha kyonki isee din mera birthday bhee tha aur isee din main apanee sakshi ko propose bhee karane vaala tha. ...dil mein thodi ghabaraahat thi aur khushee bhee kyonki aaj main apane dil kee baat sakshi ko kahoonga apane pyaar ehasaas apanee sakshi ko karaoonga.
Saath hee mujhe yah jaanane ko bhee milega kee sakshi mujhase pyaar karatee hain ya sirph main hee sakshi ke lie pyaar ko mahasoos karata hoon.

Main subah naha kar taiyaar hokar puja karake maata – pita ka aasheervaad lekar kolej ke nikal gaya, saath hee main apane saath sakshi kee pasandeeda choclate aur cake bhee saath rakh liya.... kyonki main apana birthday sabase pahale meree sakshi ke saath hee manaana chaahata tha main subah se parking area 4 mein usaka intajaar karane laga. Kuchh der baad hee sakshi aa gaee mainne good morning vish kiya sakshi ne jaise hee us din mujhe dekha usane meree bahut taareeph kee aur kaha kya baat hain aaj aap bahut achchhe lag rahe ho. Saath hee sakshi ne mujhe birthday wish kiya pahale to mainne sakshi ko thank you kaha....phir mainne sakshi ko kaha sakshi mujhe tumase kuchh jarooree baat karanee hain is par sakshi ne kaha theek hain bolo kya kahana chaahate ho.

Mainne kaha yahaan nahin kah sakata tum abhee classroom number 39 mein mujhase mil sakatee ho kya sakshi kuchh second ke lie rukee aur apanee ghadee dekhate hue kaha achchha tum chalo main 10 minat mein aatee hoon. Kyonki morning mein classroom number 39 mein koee class nahin lagata tha to kisee ke aane ka dar nahin tha.
Main classroom pahunch kar sakshi ka intajaar karane laga kuchh der baad sakshi aa gaee mainne use bench mein baithane ko kaha phir mainne ek lambee saans lee.
Phir mainne kahaan sakshi aaj jo main tumase kahane vaala hoon jo mainne aaj tak tumase nahin kahaan, ek aisee baat jo main bahut dinon se kahana chaahata tha par aaj tak tumase nahin kah paaya.
sakshi jab main pahalee baar tumhen dekha tha na tab se hee tum meree pahalee aur aakharee pasand ho. Kyonki tumhen dekhane ke baad mere aankhon mein bas tumhaara hee chehara bas gaya hain dusaro ke lie tum shaayad sirph ek ladakee hogee par mere lie tum vo sapano kee paree ho jisake saath main haqeeqat mein pooree zindagee bitaana chaahata hoon.
Jab bhee tum mujhe pyaar se dekhate hue muskuraate ho na tab jee kar in muskuraahat ke lie duniyaan kee saaree khushiyaan tumhaare kadamon mein la kar rakh doo...mujhe nahin pata tum in sab baaton ko sun kar mere baare mein kya soch rahee hogee aur mujhe nahin pata isake baad ab hamaaree dostee rahegee bhee ya nahin.

Dekho sakshi main tumase mere pyaar ko sveekaary karane ya javaab dene ka davaab nahin daaloonga main to bas tumase apanee dil kee baat bata kah raha hoon jo main tumhaare lie mahasoos karata hoon.
Itana kahate hee mainne ek red roj nikaal kar sakshi ko dete hue kaha
" I love you so much sakshi main tumase bahut pyaar karata hoon aur hamesha karata rahoonga."
Isake saath hee mainne usakee favourite chocolate aur cake ko den diya aur sakshi ne use accept to kiya par un sabako saamane vaale desk ke oopar rakh diya.
Yah dekh kar main ghabara gaya mainne man hee man soch liya aaj to sab kuchh khatam , itana mein sakshi apane bench se uthee kuchh der socha aur bina kuchh kahen classroom se baahar jaane lagee. Yah sab dekh kar mera dil pooree tarah toot gaya main rone hee vaala tha kee usake baad jo hua vah dekh kar me thoda chauk gaya.
Kyonki yah sab mainne kabhee socha hee nahin tha meree pyaaree sakshi kuchh aisa karegee. sakshi classroom ke daravaaje ke paas khadee hokar daaye baen dekha phir vaapas aakar mere saamane khadee ho gaee phir mujhe mere gaal par apane halke haatho se thappad maara main to dar hee gaya. Par usake baad sakshi ne jo bola usase meree zindagee badal gaya sakshi ne kaha ab sirph main kahoongee aur tum sunoge.
Tumane sahee kaha ab se tum mere dost nahin rahe kyonki……… ab se tum mere boyfriend ho buddhoo kahee ke tumase ye sunane ke lie mainne kitana intajaar kiya tha. tum mujhe pahale din se hee pasand the isalie nahin kee tum achchhe dikhate ho balki tum dil, dimaag aur soch se bhee bahut achchhe ladake ho.
Koee paagal hee hoga jo tumhen jaanane ke baad tum jaise itana pyaar karane vaale ladake ko na bole. Veer tumase mujhe usee din pyaar ho gaya tha jab meree tabiyat kharaab thee aur mujhe apana assignmaint poora karana tha to tumane meree bahut madad kee thee ye jaanate hue kee computer science tumhaara vishay nahin hain....phir bhee tumane meree madad kee yah vaheen insaan kar sakata hain jisakee vah dil se paravaah karata hain.
Dekho Veer aksar ladake pyaar mein ek ladakee ke lie vo sabhee cheez karate hain jisakee ek ladakee ko jarurat hee nahin hotee. par tumane vo sabhee cheeze kiya jisane meree life par bahut achchha prabhaav daala hain tumhaaree vajah se meree life pahale se bahut achchhee ho gaee hain.
Sabase badee baat mainne pyaar kya hota hain use mahasoos kiya hain aur ant mein tumase ek hee baat kahana chaahoongee
I lovae you too Veer, main bhee tumase pyaar karatee hoon.
Ab dekh kya rahe ho mujhe gale nahin lagaoge phir mainne khushee kee bheegee aankhon se sakshi ko pahalee baar gale lagaaya.
Mujhe aisa pheel hua maano mujhe jannat mil gaya aur mainne phir se sakshi ko I love you kahaan phir ham donon ne khushee – khushee cake kaat kar birthday celebrate kiya.
Isake baad ham apani – apani class chale gae vah din meree zindagee ke sabase khaas sunahare pal the jise main kabhee bhee nahin bhool sakata. kyonki yaheen se shuruvaat huee thee sakshi aur meree (veer) kee romantich love story ki.
Aaj kae saal baad main aur meree future wife sakshi jab bhee un kolej ke dinon ko yaad karate hain to vo sunaharee yaaden phir se taaza ho jaati hain aur ek baar phir se us pal ko jeene ka man karata hain. aaj phir se un kolej kee galiyon mein ghoomane ka dil karata hain, kainteen mein baith kar vo garama garam samose khaane ka dil karata hain, class ke desk aur pedon mein likhe vo Veerakshi dekhane ka dil karata hain, aaj ek baar phir kolej kee vo zindagee jeene ka dil karata hain..

_The End_
 
Last edited by a moderator:
Status
Not open for further replies.

Top