Thriller Naagmani

Well-known member
3,825
7,366
143
Ye Kahani hai Ek aise Painting karne wale Ladke ki jiske hatho har roj pahli tasveer ek ladki ki ban jati hai..jise usne kabhi dekha nahi, suna nahi...jiske bare me vo kuch janta tak nahi.....Lekin phir bhi uske hatho pahli painting ussi ladki ki banti hai.....jise vo chahe ya na chahe.. kya hai us tasveer ki haqiqat...?..koun hai vo Ladki...?..kya Rishta hai uska is Ladke se...?.. Janne ke liye padhte rahe

NAAG MANI
Update*1


Batti ke charo taraf Peetal ki chhalni jaisa khol chadha hua tha……Kumar jab bhi is batti ko jalata, batti ki roshni peetal ki surakho me se doodh ki dharao ki tarah bahne lagti jisse kamre ki deeware aur kamre ka fursh roshni se chhitka hua dikhta..


Yah batti kamre ki chhat me lagi huyi thi…dusri batti kumar ki mez par lagi huyi thi….batti ke mathe par peetal ka ek dhakkan laga hua tha jisse chhitra kar is batti roshni mez par rakhe huye shishe ke pyale me bhar jati thi aur pyala har samay chhalakta hua dikhayi deta..

Kumar jab kuch soch raha hota to uski mez ki batti bujhi huyi hoti aur chhat ki batti jal rahi hoti thi…..Peetal ki saikado surakho me se chhitrati huyi batti ki roshni jis tarah saikdo alag alag dharao me bati huyi hoti thi…..kumar ke khyal bhi saikado alag alag lakiro me chalte the..

Par jab kabhi uske mann me ye lakire jud jati to vah chhat ki batti bujha kar mez ki batti jala leta tha... Roshni ek hi jagah jama hokar sheeshe ke pyale ko bharne lagti aur kumar ke mann me judi huyi tasveer uske samne pade huye kagazo par utarne lagti…..

Aaj kumar pichhle teen ghanto se apni mez par sar jhukaye kaam me juta hua tha…Alka ne mez ke paas rakhe huye stool par coffee ka pyala rakhte huye dhire se chammach ko khan khanaya taki kumar ko malum ho jaye ki usne coffee ka pyala rakh diya tha…

Par kuch minto baad alka ne dekha ki coffee ka pyala vaise hi rakha hua tha aur kumar ussi tarah mez par sar jhuka kar kaam me juta hua tha…

Alka ne muh se kuch kahe bagair cup ko thoda sa sarka diya…kumar ne cup ki oor is tarah dekha jaise ki khidki me aati huyi hawa se khidki ki saankal hilne ki awaz aayi ho…Saankal phir jaise sthir ho gayi ho aur kumar ka dhyan jaise apni mez par kendrit ho gaya ho…

Alka ko kumar ke studio me akar kaam seekhte huye six months hone aaye the aur alka ko six mahine me nahi, pahle mahine me hi malum ho gaya tha ki jis samay kumar kaam karta ho, alka ki kahi huyi kisi baat me ya pyale ke chammach me …athva khidki ki saankal me koi antar nahi rahta…isliye alka muh se kuch na boli..

Karib adhe ghante baad kumar ne mez se sir uthaya...Jab vah bahut thak jata to uske mathe par ek nas ubhar aati..is nas ka kasaav uski ankhe bhi mahsus karti..

Usne ek minute ankhe band ki aur phir mathe ki nas ko apne hatho se sahlate huye usne alka ki or dekha

Kumar—ek cup coffee milegi kya…?

Alka ne stool par rakhe huye pyale ko uthaya aur kamre se sate huye chhote baramde me chali gayi… Rasoyi kuch dur padti thi, isliye kumar ne tea banane ka saman baramde me rakh chhoda tha..chulhe par pani rakh kar alka ne thandi coffee ko gira diya aur cup dhone lagi...

Garam coffee ka pyala lekar alka jab loutkar kamre me aayi to kumar mez par rakhe kagaz ko dhyan se dekh raha tha...

"Aaj itni khushbu kaha se aa rahi hai "...kumar ne is tarah puchha jaise vah khushbu ko nazar gada kar dhudh raha ho

Alka ne bhi tasveer ki oor gardan ghumayi aur phir tasveer ki ladki ke baalo me lage huye phoolo ki oor dekhti huyi kahne lagi..

Alka—in phoolo se aa rahi hogi khushbu..

Alka ke hath se coffee ka pyala pakadte huye kumar khil khilakar hasne laga..

Kumar—abhi maine apna hosh itna nahi khoya hai ki kagaz par banaye huye phoolo me se khushbu aane lage

Alka chup sadhe rahi....usne palang ke paaye ke paas padi huyi chouki ki oor dekha, jaise kah rahi ho ki itna hosh jarur jata raha hai ki kamre me pade huye taaze phool abhi tak dikhayi nahi diye the..ye phool alka ne subah aate hi kamre me laga diye the..

"Ohh...." kumar ne hosh me hone ka daava vapis le liya aur coffee la garam ghoont bharte huye kahne laga..

Kumar—Par ye aadat nahi dalni chahiye thi..

Alka—kaisi aadat... ?

Kumar—coffee ki aadat.....Phoolo ki aadat

Alka—aur... ?

Kumar—Paise ki aadat....Shoharat ki aadat....Aurat ki aadat..

Alka—aur apne aap ki aadat….?

Kumar—kya matlab.... ?

Alka—apne aap ki aadat bhi nahi dalni chahiye...kabhi kisi Michael Angelo ko Michael An Jelo rahna chahiye aur kabhi use bazar ke ek kone me baitha hua halwayi bhi ban jana chahiye...kabhi namak bechne wala baniya aur kabhi paan bidi bechne wala...

Kumar (haste huye)—tum samajh nahi payi ho alka....ek apne aap ki aadat bhar ke liye baki koi aadat nahi dalni chahiye...main sochta hu ki apne aap ki poori aadat kewal tabhi pad sakti hai jab admi baki aadato se mukt ho jaye...

Alka—yeh mai manti hu...Par mere vichar me shoharat aur aurat me bahut farak hota hai...

Kumar—kisi aadat aur aadat me antar nahi hota....mai ek baar....

Alka—chup kyo ho rahe... ?

Kumar—tumhari jagah agar koi dusri ladki hoti to mai shayad chup rahta…kisi ko bhi kuch batane ki mujhe kabhi jarurat nahi padi…..Jarurat ab bhi koi nahi par shayad batane me kuch harz nahi…tum mujhe galat nahi samjhogi..

Alka—mujhe bhi khud par bharosha hai..

Kumar—mai yeh batane chala tha ki ek baar mujh me aisi bhookh jagi ki mai kayi din so na saka.....vah sirf jism ki bhookh thi…ek aurat ke jism ki bhookh….par mai kisi bhi aurat ke sath apni jindgi ke saal baandhne ke liye taiyar na tha…isliye kuch din mai aisi aurat ke paas jata raha jo roj ke bees rupaye leti thi aur meri swatantrata ko kabhi nahi mangti thi..

Alka ne kuch nahi kaha…sirf nazar gadakar kumar ke chehre ki oor dekhti rahi…
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI

UPDATE*2

Alka kumar ke kamre ki safayi kar rahi thi...har taraf room me paintings bikhri padi thi...to usne unhe samet kar ek jagah rakhne lagi

Achanak uski nazar ek paintings par jakar ruk gayi.....badi hi manmohak painting thi vo.....alka use dono hatho se pakad kar bade gaur se dekhne lagi....tabhi kumar fresh hokar room me aa gaya

Kumar—tumne to sabhi tasveere samet kar rakh di.....aur aise kya dekh rahi ho usme…..?

Alka—meri samajh me ek baat nahi aa rahi hai….?

Kumar—vo kya….?

Alka—mujhe yaha kaam karte huye six month se upar ho gaye hain……lekin mai ye dekhti aa rahi hu ki ye tasveer aap daily banate hain……vo bhi itni khubsurat….ise dekh kar hi lagta hai jaise abhi jeevant ho uthegi….koun hai ye…?

Kumar—pata nahi….?..jab se maine hosh sambhala hai tab se main tasveer bana raha hu....lekin na jane kyo apne aap hi har roj pahli tasveer iski hi ban jati hai jabki main banana kisi aur ki chahta hu

Alka (shocked)—kya apne aap hi…? But ye kaise possible hai……?

Kumar—yahi soch soch kar to main khud bhi hairan hu

Alka—kya aap ise jante hain…? Ya ho sakta hai kabhi kahi dekha ho..

Kumar—nahi...maine ise kabhi nahi dekha.....mai to ise janta tak nahi

Alka—ajib ittefaq hai...har roj aapke hatho se pahli tasveer is ladki ki ban jati hai…na chahte huye bhi....vo bhi itni khubsurat.....




Kumar—kayi baar to aisa bhi hua hai ki mai kisi client ko samne baitha kar uski painting banata hu...use dekhte huye.....paintings bante tak to sab theek rahta hai lekin complete hone ke baad pahli painting iski ban jati hai..

Alka—aapne doctor ko nahi dikhaya.... ?

Kumar—doctor ko dikhane jaunga to vo mujhe pagal karar dega

Alka—akhir kya vajah ho sakti hai…?

Kumar—kya pata…?

Alka—coffee pina hai…?

Kumar—ha le aao

Alka coffee banane chali gayi….kumar ke sath ye ghatna tab se niymit tour par ho rahi hai jab se usne tasveer banana chalu kiya hai…har roj uske hatho se pahli painting usi ladki ki banti hai….

Bhale hi vo na banana chahe kintu jab bhi daily ki pahli painting banata hai to uske dilo dimag par ye ladki apna kabza jama leti hai….jise vo janta tak nahi hai

Alka—ye lijiye coffee….phir breakfast lati hu

Kumar—good

Alka—kuch kitchen ka saman kharidna tha

Kumar—theek hai…list bana do..mai bahar hi ja raha hu…loutne time leta aunga

Alka—ready hai…ye lijiye

Kumar—ok…ab nasta de do

Alka nasta lakar kumar ko serve karne lagi….tab tak kumar bhi ready hoke nasta karne laga…ye daily routine tha.. alka subah aakar saf safayi karne ke baad coffee bana ke deti phir nasta…alka ek anath ladki thi…..badi hone tak anath ashram me rahi

Jawan hone ke baad usne hostel join kar liya….study me achchi thi to schlorship mil gayi…padhayi complete hone ke baad use bache kuch paiso se kiraye se paas me hi ek room le liya

Ye ek pahadi ilaka hai…..jungle se laga hua….alka naukri ki talash me dar dar bhatak rahi thi…kayi din to usne kewal pani pikar hi gujare

Jaha bhi vo naukri ke liye jati…to logo ki hawas bhari nazare us akeli anath besahara ladki ko naukri dene ke badle unka bistar garam karne ki shart pahle samne aa jati

Kintu usne kabhi apni izzat ka sauda nahi kiya….ek baar vo aise hi bhatakte huye bhukh pyas se behal garmi ki chil chilati dhoop me beech sadak par gir kar behosh ho gayi

Sanyog se usi time kumar ka udhar se gujarna ho gaya…jab usne kisi ko aise behosh dekha to use utha ke hospital le gaya…doctors ne behoshi ka karan kamjor hona bataya

Kumar ne alka ke hosh me aane par jab uske bare me pucha to usne sab kuch bata diya….jise sun kar use bahut dukh hua….aur usne alka ko apne yaha assistant ke tour par rakh liya

Dhire dhire alka kumar ke prabhav shali vyaktitva se prabhavit huye bina na rah saki aur mann hi mann me kumar ko pyar karne lagi kintu usne apne dil ki baat juban tak nahi layi shayad apni garibi dekh kar

Nasta karne ke baad kumar bahar chala gaya aur alka phir se us painting ko utha kar dekhne lagi
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI

UPDATE*3

Kumar ghar se nikal kar sidhe ek dukan me gaya….jaha ek achcha mota khasa admi apni chair me baitha hua tha.. usne kumar ko dekhte hi use andar aane ka ishara kiya…..inka naam Rahul Rastogi hai..age karib 45 saal

Rastogi—aao bhai kumar…baitho

Kumar—shukriya uncle

Rastogi—shukriya ko maro goli….aur ye batao…ki koi nayi painting banayi ki nahi

Kumar—kuch banayi hain…vo main jaldi hi bhijwa dunga

Rastogi—tumhe maine isliye bulaya tha ki next week paintings ki ek exhibition lagne wali hai…to tum bhi apni painting usme shamil karo…lekin ekdam jhakkas honi chahiye

Kumar—main poori koshish karunga…..aap nishchint rahe

Rastogi—painting jabardast honi chahiye….ye comptition all india level par hai….is exhibition me india ke top paiters ki painting hogi

Kumar—phir to mera patta pahle hi cut ho gaya…..meri painting ko entry bhi nahi milegi

Rastogi—tum painting bhar mast banao…entry kaise hogi vo mai dekh lunga

Kumar—theek hai…..mai phir chalta hu

Rastogi—ruko…ye lo 25000 rs. Tumhari last paintings ke….

Kumar—thanks uncle

Rastogi—chalo mai bhi tumhare sath chalta hu…..ek baar un bani huyi paintings ko dekh hi leta hu

Kumar—sure…chaliye

Tabhi coffee aa gayi to dono ne pine ke baad nikal gaye…..kumar apni paintings banakar is dukan ke malik ko deta tha…jaha se vo bikti thi….painting bechne par jo bhi milta usme se ek chouthayi hissa rastogi rakhta aur baki kumar ko de deta tha

Isi kamayi se kumar ka gujara chal raha tha….phir bhi vo mahine me paintings ke jariye ek lakh tak kama hi leta tha kumar ek padha likha…very samart…good looking ek 20 saal ka ladka hai

Painting ki kala me mahir…ek baar jis bhi cheez par uski nazar pad gayi to samjho us cheez se jadu barik se bari baat uske dimag ke memory card me hamesha ke liye store ho gayi

Ghar pahuchte hi bell bajane par alka ne darwaja khola….rastogi ka kumar ke yaha mahine me do char baar aana jana hota rahta tha..jisse vo alka ko janta tha

Alka—namaste uncle

Rastogi—jiti raho….kaisi ho beti

Alka—ek dam fine

Kumar—alka maine jo paintings banayi hain ..jara vo lakar uncle ko dikhana

Alka—abhi layi….

Alka andar chali gayi paintings lane aur kumar rastogi se baate karne laga….thodi der me alka kuch paintings lekar unke paas aagayi

Rastogi har ek tasveer ko bade gaur se dekhne laga…..uska to ab ye business hi tha….paintings kharidne aur bechne ka……sath hi rastogi vaha ka mana hua rich person tha

Rastogi—sabhi badhiya hain…lekin inme vo baat nahi hai jo ki tumhe exhibition me represent karne layak sabit karti ho

Kumar—mai aur bhi behtar karne ki koshish karunga

Rastogi—koi aisi painting chahiye jise dekhte hi tahalka mach jaye

Alka—kuch paintings aur bhi hain mai lati hu

Kumar—ab koun si painting hai....itni hi to maine banayi thi

Alka—vo pahli.....jo roj apne aap ban jati hai

Kumar—nahi usko rahne do

Rastogi—tom lao beti….achchi nahi bani to kya hua….dekhne me kya jata hai….jao tum le aao

Alka kumar ki taraf dekhne lagi to usne bhi dikhane ko bol diya…..aur phir andar jakar alka us mystry painting ko le aayi aur rastogi ko pakda diya

Rastogi (tasveer dekh)---omg….omg…ye kya hai…?

Kumar—maine to pahle hi mana kiya tha dekhne ko

Rastogi—arey…ye bekar nahi…..mind blowing painting hai….mujhe to pata hi nahi tha ki tere andar aisa hunar bhi hai

Alka—sach uncle

Rastogi—ha beti….ye painting lagte hi har taraf tahalka mach jayega…..hum lakho me nahi…balki karodo arbo me khelenge….ye super awesome painting hai…lekin itni badhiya painting tune banayi kaise aur aaj tak mujhe dikhaya tak nahi

Kumar—bas mujhe laga ki koi pasand nahi karega isko

Rastogi—ye to bina exhibition ke lakho me bik jayegi…vo bhi hatho hath

Alka—phir to apko aisi painting roj mil jaya karengi

Rastogi (hairan)—roj…par kaise...how its possible….?

Kumar—baat kuch aisi hai uncle ki…..(phir kumar ne us tasveer ke bare me sab bata diya)

Poori baat sunte hi rastogi ki ankhe khuli rah gayi…..magar in teeno ko hi ye pata nahi tha ki is samay inke alawa vaha koi aur bhi moujud hai jo sab kuch dekh sun raha hai…
 
Well-known member
3,825
7,366
143
UPDATE*4

Rastogi (hairan)—roj…par kaise...how its possible….?

Kumar—baat kuch aisi hai uncle ki…..(phir kumar ne us tasveer ke bare me sab bata diya)

Poori baat sunte hi rastogi ki ankhe khuli rah gayi…..magar in teeno ko hi ye pata nahi tha ki is samay inke alawa vaha koi aur bhi moujud hai jo sab kuch dekh sun raha hai…

Ab aage……..

Rastogi—ye to badi hi hairat ki baat hai….aisa kaise ho sakta hai…nishchit hi isme koi na koi rahashya hai

Kumar—kaisa rahasya….?

Rastogi—pata nahi….abhi kuch nahi kah sakta mai

Alka—mai bhi hairan hu uncle ye sab apne aap kyo raha hai…?

Rastogi—mai tumhe kya batau..mai to khud hi hairan hu

Kumar—theek hai jane dijiye....agar kuch hoga to khud hi pata chal jayega

Rastogi—phir bhi kumar…is baat ko itna lightly mat lo…kya pata ye tumse kuch kahna chahti ho ya phir is tasveer se tumhara koi rishta ho…..?

Kumar—mai to ise janta tak nahi uncle….jane kaise painting banate samay mere hath khud ba khud iski tasveer ban jati hai..aur na hi kabhi ise dekha hai maine

Alka—hame isse koi khatra to nahi hoga na uncle….?

Rastogi—ho bhi sakta hai aur nahi bhi...kah nahi sakta

Kumar—kaha uncle..aap bhi 21st century me bhi aisi bate karte hain

Rastogi—chalo mai chalta hu…ho sakta hai ye mahaz ek ittefaq hi ho…warna…

Alka—warna kya…?

Rastogi—kuch bhi ho sakta hai…kumar ke sath…achcha ya bura

Kumar—sab kismat ka khel hai

Rastogi—ok..mai chalta hu….aur kumar ye tasveer kal hi mere paas bhej dena….aur kuch nayi bana lena iski

Kumar—dekhta hu ban gayi agar to….vaise bhi vo meri marzi se thode hi banti hai…bas ban jati hai

Rastogi—ok…bye

Alka—bye uncle

Kumar—alka ek cup coffee dena…uncle ne to mood kharab kar diya

Alka—abhi layi

Kumar vahi dining hall me baithkar news paper padhne laga….alka kitchen me coffee banane chali gayi…kuch hi der me dono vahi baith coffee pine ka lutf uthane lage

Kumar—alka mere room se kagaz aur pen lana jara

Alka—ji..abhi layi

Alka kagaz pen lene room me gayi aur tabhi kumar ke kano me uski cheekhne ki awaz sunayi di…vo turnat hall se uth kar apne kamre ki taraf bhaga….

Vaha jakar usne dekha ki alka bed ke ek kone me khade that thar kaamp rahi hai aur bahut jyada dari huyi lag rahi thi jo uske chehre se saf taur par pata chal raha tha

Kumar—alka….alka…kya hua…? Tum cheekhi kyo….?

Alka (dari huyi)—vo….vo….samne khidki…me…..

Kumar—samne khidki me kya…….?

Tabhi kumar ki nazar khidki ki oor gayi to uske bhi rongte khade ho gaye…samne khidki me ek nagin baithi huyi thi lekin sabse bade acharaj ki baat ye thi ki usne apne muh me kuch kagaz dabaye huye the

Kumar dekhte hi usne vo kagaz vahi niche jamin par girakar khidki se niche utar gayi…alka ke sath kumar bhi use dekh kar pasine se lath path ho gaya

Uske jate hi usne darte huye dhire dhire khidki tak jake badi mushkil se bahar jhank kar dekha to vo phir acharaj vo nagin ab vaha kahi nazar nahi aayi

Kumar—itna jaldi kaha chali gayi….?

Alka—mujhe to bahut darr lag raha hai

Kumar—chali gayi vo….lekin vo yaha aayi kaise…? Khidki to band thi....kahi tumne to nahi kholi... ?

Alka—nahi…mai abhi kuch der pahle jab painting lene aayi thi tab khidki band thi

Kumar—ajib baat hai

Alka—mujhe lagta hai…uss painting ki vajah se hai

Kumar—ye sab bakwas hai

Alka—uncle bhi to kah rahe the ki…

Kumar—uncle budhape me sathiya gaye hain….tum bhi unki betuki bato me aakar vishwas karne lagi

Alka—aur ye kagaz….uske muh me…?

Kumar—yahi to mai bhi soch raha hu….chalo dekhta hu ki kya likha hai us nagin ne mere liye……(aur un kagaz ko padhne laga utha kar)….vo hindi me likha tha

‘’isse jyada janna chahte ho to******jagah par aa jana……tum apni asli pahchan se anjan ho abhi tak, Arjun’’
 
Well-known member
3,825
7,366
143
nzi819e.jpg
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE * 5

Mai (kumar)—maine us kagaz ko khol kar dekha to usme jo likha tha use padhne laga….mujhe kuch samajh me nahi aa raha tha to maine use bistar ke niche rakh diya

Alka—ye kya hai sab……?

Mai—mujhe bhi nahi malum….

Alka—pahle us ladki ki tasveer ka daily apne aap banna aur ab ye nagin....kahi ye bhi roj hi us painting ki tarah yaha na tapak pade

Mai—ye jeev jantu hain ghumte firte rahte hain.....aa gayi hogi kahi se

Alka—kahi aisa to nahi ki us painting aur is nagin ka apas me koi connection ho

Mai—padhi likhi hokar tum bhi aisi bate karogi

Alka—kya karu....halaat hi aise bante ja rahe hain

Mai—vo sab chhodo aur ek cup coffee pila do phir main apne kaam me lag jauunga

Alka—ji...abhi layi

Alka ke jate hi main bhi uski kahi gayi baato ko gaur se sochne laga...lekin phir ise kewal ek andh vishwas maan kar in dakiyanusi khyalo ko apne dimag se jhatak diya....thodi der me alka bhi aa gayi

Alka—vo kitchen ka saman kaha par rakha hai jo lane ke liye maine apko list di thi

Mai—vo lane ka time hi nahi mila mujhe...lekin dukan vale ko maine phone par bata diya hai vo aaj bhijwa dega

Alka—ji..theek hai....vo ..vo

Mai—ha bolo na..ye vo..vo kya hai... ? jo kahna chahti ho , saf saf kaho

Alka—ji…vo mujhe kuch paise chahiye the…..room change karna tha

Mai—kyo…room to hai na tumhare paas

Alka—ji…vo makan malik ka ladka achcha nahi hai

Mai—matlab….?

Alka (sar jhuka kar)—ji…vo…sharab pikar ulta sidhi bate karta hai…uski niyat bhi theek nahi hai….isliye main room change karna chahti hu kal hi…..aap is mahine ki payment me kaat lena ye

Mai—iski kya guarantee hai ki dusri jagah par achche log mil jayenge aur vo ladka tumhara pichha karna chhod dega….upar se khubsurat bhi ho

Alka—aur mai iske alawa kar bhi kya sakti hu

Mai—hunnnn…vaise tum chaho to yaha rah sakti ho…..mujhe koi dikkat nahi hai

Alka—aapki badnami hogi mere rahne se….mai bahar hi theek hu

Mai—haa…ye bhi ek tarah se theek bhi hai…..mujh me khud hi aisi khamiya hain…mai khud hi pita hu to dusro ka kya kah sakta hu

Alka—mai aap par shaq nahi kar rahi….lekin mai apki badnami nahi chahti apni vajah se

Mai—vaise ab tumhe shadi kar leni chahiye...kaho to mai koi ladka dekhu tumhare liye

Meri baat sunte hi alka ko na jane kya hua vo vaha se uth kar bhag gayi aur kitchen me jakar rone lagi...mujhe uske aise uthkar jane se utni hairat nahi huyi jitni ki uske sisakne ki awaz sunke ke huyi...mai turant uske paas aa gaya

Mai jaise hi kitchen me pahucha to darwaje par hi thithak kar ruk gaya....vo apne hatho me meri tasveer liye usse shikayate kar rahi thi…jise sun kar mere chehre par mushkan aa gayi

Alka—aap hame kyo bhagana chahte hain yaha se...hame koi shadi nahi karni...mai aapse pyar karti hu..mai janti hu ki apke layak nahi hu.....mai aap se shadi karne ke bare me khwab me bhi nahi soch sakti...mai garib aur anath jarur hu kintu itni khud garz nahi ki jisne meri jaan aur izzat bachayi mai uske hi daman me daag laga du...pls mujhe kam se kam shadi karne ke liye mat boliye

Mai vaha se chup chap apne room me aa gaya aur alka ko awaz lagane laga...kuch hi der me vo mere samne hazir ho gayi

Alka—ji...aapne bulaya

Mai—haannn...yaha aao mere paas

Alka (paas aakar)—ji kahiye...kuch kaam tha

Mai—mai ye batane ke liye bulaya tha ki maine bhi ab shadi karne ka faisla kar liya hai.....kaha tak roj roj call girls par paisa barbad karunga....aao tumhe uss ladki ki tasveer dikhata hu....bahut beautiful hai

Alka (ruwansi hokar)—mujhe kitchen me kaam hai…..aapne pasand kiya hai to theek hi hogi …mai kya karungi dekh kar….aur shayad mai kal na aa pau…mujhe room dekhne jana hai

Mai (hath pakad ke)—aise kaise ho sakta hai...maine us ladki ko kaha hai ki agar alka ko pasand aayi to hi shadi karunga warna nahi....chalo dekh lo....meri aur uski zindagi ka sawal hai

Alka (ankho me nami)—mujhe nahi dekhna…meri tabiyat theek nahi hai….hath chhod dijiye pls….mujhe jane dijiye

Maine uska hath chhodne ki bajaye khade hokar apne dono hatho se uski ankhe band kar di ….alka kasmasati rahi uske ankho se aanshu bahkar meri hatheliyo par gir rahe the

Maine in sab ki parwah kiye bina hi use khichte huye mirror ke samne le jakar khada kar diya….aur use ankhe band rakhne ko kaha....

Mai—mai bahar haal me ja raha hu....mai jab kahu ankhe kholne ko tabhi kholna aur tumhari ankhe kholte hi uski tasveer tumhare samne nazar ayegi.....dekh kar mujhe batana kaisi hai

Alka—ji..

Mai—ab bilkul dhire dhire apni ankhe kholo aur apne samne dekh kar batao mujhe

Alka ne jaise hi apni ankhe kholi to use aayine me apni hi surat nazar aayi...vo idhar udhar dekhne lagi ki tasveer kaha hai...par jab koi tasveer hogi tab na dikhti

Tabhi use kumar ki kahi gayi baat ka matlab samajh me aate hi vo tezi se bhag kar haal me mere paas aakar ruk gayi....dhire dhire vo meri taraf badhne lagi...uske paas aate hi mai niche baith kar uska ek hath pakad liya

Mai—will you marry me...alka... ?

Ye sun kar uski ankho se tap tap tap pani girne laga ….turant niche baith kar vo mere gale se lipat gayi

Alka (sisakte huye)—haa….i will ….I Love you

Mai—hum kal hi shadi karenge

Alka—hnnnn

Mai—ab to mere sath rahne me koi dikkat nahi hai na

Alka—nahi….

Maine uske chehre ko thaam kar apne hoth dhire dhire se le jakar alka ke naram gulabi adhro par rakh diye…usne apni ankhe band kar li

Mai uske hotho ko chumne laga….ye uski life ka pahla chumban tha jiski vajah se uske hotho me kampan ho raha tha….mai kabhi upar wala to kabhi niche wale hoth ko chusne laga

Alka ko kiss karna to nahi aata tha jisse vo poori tarah se mera sath nahi de pa rahi thi kintu usne mujhe roka nahi.. kiss karte huye maine hath uski pith par ghumata raha

Dhire se ek hath pith se sarkate huye uski badi badi chhatiyo par aa gaya….jise main bade hi pyar se kapde ke upar se hi sahlane laga

Chuchiyo par hath padte hi alka ka badan romanch se kaamp gaya…maine uske dono unnat kalsho ko dhire dhire dabata gaya…aur alka madhosh hoti gayi

Is madhoshi ka natiza ye nikla ki vo uttejit hokar ab jor jor se badh chadh kar mere hotho ko chumne kaatne lagi… mai jitni jor se uski chuchi masalta vo utni hi adhik uttejit hoti jati

Chunki alka ka ye pahla anubhav tha jiske karan vo kissing karne aur apni chuchi masalwane se jaldi hi charmotkarsh par pahuch kar jor se siskari lete huye skhalit ho gayi

Skhalit hote hi vo laaz aur sharam se kiss karna chhod apna chehra mere sine me chhupa liya….maine bhi kuch der tak uski dono chuchiyo ko bari bari meesne ke baad un par se apne hath hata liya..nahi to mera bhi control kho jata aur phir suhagrat ko seal todne ka anand phika ho jata

Mai—alka ab to khush ho na…..?

Alka—huunnn

Mai—chalo ready ho jao…hum market chalenge..shopping karne

Alka—shopping…..

Mai—haan….kal hamari shadi ki shopping…kyo ab nahi karni kya shadi…?

Alka (sharma kar)—mai abhi aayi

Vo bhag kar bathroom me ghus gayi aur main ready hone laga….thodi der baad vo bhi taiyar hoke aa gayi to hum dono market nikal gaye
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI

UPDATE * 6
Mai—chalo ready ho jao…hum market chalenge..shopping karne

Alka—shopping…..

Mai—haan….kal hamari shadi ki shopping…kyo ab nahi karni kya shadi…?

Alka (sharma kar)—mai abhi aayi

Vo bhag kar bathroom me ghus gayi aur main ready hone laga….thodi der baad vo bhi taiyar hoke aa gayi to hum dono market nikal gaye

Ab Aage.........

Market me maine alka ke liye jwellary, kapde, make up ka saman sabhi uske pasand ke liye….uske chehre par ek alag hi khushi aaj jhalak rahi thi

Alka—itna sab mat kharido…bas itna bahut hai

Mai—ab shadi me to kharidna hi padta hai na…meri biwi bhi to sundar dikhni chahiye

Alka—rastogi ji ko bula le kya apni shadi me….?

Mai—maine unhe bol diya hai....sara arrangements vohi kar rahe hain...

Alka—chaliye kuch khate hain

Mai alka ko lekar restaurent me aa gaya...hum khana kha hi rahe the ki vaha alka ke makan malik ka ladka apne kuch awara sathiyo ke sath vaha aa tapka

Jaise hi unme se ek ki nazar hamare upar gayi to usne use ishare se hamari taraf dhyan dilaya

Ek ladka—jack wo dekh tera maal

2ra—ha..yaar..ye to kisi aur ko hi apni jawani ka ras pila rahi hai yaar

Jack (makan malik ka ladka)—chal Sali ko batate hain abhi

Vo total paanch log the….hamare table ke samne hi aakar baith gaye…aur gande gande comments kasne lage…alka chup chap mujhe vaha se chalne ko kahne lagi….hum jaise hi vaha se uthne ko huye to jack ne alka ka hath pakad liya…ab to pani sar ke upar hone laga tha

Alka—chhod mera hath…lagta hai kal ka thappad bhul gaya hai

Jack—ye hath chhodne ke liye nahi meri rani…tujhe chodne ke liye pakda hai

Alka—chattaaaakkkkk…..

Jack (gusse se)—mc…thappad marti hai…ab to tujhe yahi par nangi kar ke sab ke samne chodunga Sali

Mai—tadaakkkkkk…pahle apne baap se to mil bhadwe

Jack (baukhla kar)—tune mujh par hath uthaya…..tu janta nahi main koun hu….

Mai—apne bare me janne ki jarurat tujhe hai...jakar pahle apne ghar me pata kar ki tu hai koun.... ?

Jack (gusse me)—maro sale ko...aaaaaaaaaaaaaaaaaa

Tabhi vaha jack ke cheekhne ki awaz goojne lagi....hum sabhi hairan the ki isko achanak kya hua....agle hi pal jack dhadam se jamin par gira....uske muh se jhag nikalne laga....uske jo sathi meri taraf badh rahe the vo bhi ghabra kar use sambhalne lage

Jaise hi uske ek sathi ne jack ko uthane ke liye hath badhaya to agle hi pal uski bhi dardnak cheekh poore restaurent me phail gayi

Tabhi sab ki nazar niche gayi jaha jack ke pairo ke paas ek nagin ko dekha jo gusse se fufkar rahi thi….mai aur alka to bahut jyada chounke….kyon ki ye vahi nagin thi jise mere kamre me dekha gaya tha aur jo vaha se achanak gayab ho gayi thi

Vaha par dahshat ka mahoul ban gaya….jitne bhi andar log the….sab vaha se bahar ki oor chillate huye bhagne lage apne do dosto ki ye halat dekh kar baki bache teeno bhi vaha se nadarad ho gaye

Alka (darte huye)—ye……ye….ye to vahi hai…..

Mai (shocked)—ha….par ye yaha kaise…..?

Alka (darte huye)—yaha se jaldi chalo…mujhe bahut darr lag raha hai…..pahle vo painting aur ab ye nagin… chalo yaha se jaldi

Mai—haan chalo….

Main alka ko lekar counter par gaya bill pay karne kintu vaha koi bhi nahi tha…sab darr ke mare bahar bhag khade huye the

Hum vaha se nikal kar sidhe ghar aa gaye….alka bahut adhik darr chuki thi….shaam ko rastogi ji sapariwar hamse milne aaye

Short Intro :-

Vinod Rastogi….Painting whole seller….age..45 yrs

Nandini Rastogi….house wife….age..40 yrs

Kanchan Rastogi….Only daughter….age..20 yrs

Rastogi—ye tumne bahut achcha kiya jo shadi ka faisla kar liya….vaise bhi alka bahut achchi ladki hai

Mai—ji mai bhi yahi sochta hu

Nandini—vaise alka hai kaha... ?

Mai—ji vo kitchen me hai...

Tabhi alka bhi nasta lekar aa gayi aur hum sabhi baith kar kal ki shadi ke bare me baate karne lage....baato ke dauran hi tabhi TV par aaj ki restaurent wali news flash hone lagi

Jisme bataya ja raha tha ki us nagin ne baki bache teeno ladko ko bhi das liya tha....alka to ye news dekhte hi pareshan ho gayi

Nandini ne jab uski pareshani ka karan puchha to humne unhe sab kuch sach sach bata diya.....jise sun kar unke bhi hosh ud gaye

Nandini (shocked)—OMG.....ye kaise ho sakta hai... ?

Rastogi—very interesting…..

Alka (ghabra kar)—mujhe to sab gadbad is painting me hi lag rahi hai

Rastogi—us nagin ne jo kagaz diya tha tumhe usme kya likha tha….?

Mai—pata nahi…usme kisi jagah aane ka jikra tha…..

Rastogi—kuch ho ya na ho par tumhari ye painting jarur tahalka macha degi...itna to ab mujhe poora vishwas ho gaya hai

Nandini—kyo na kisi jaan kar ko dikhaya jaye…?

Mai—ye sab faltu bate hain….kora andh vishwas…mai in sabme yakin nahi karta

Kanchan—mujhe bhi vo painting dikhao na….ab to mera mann bhi hone laga hai use dekhne ko…pls..

Alka—aaiye mai dikhati hu

Nandini aur kanchan dono alka ke sath mere kamre me us painting ko dekhne ke liye chali gayi aur main rastogi ji ke sath baith kar kal ki shadi ki taiyari ke bare me baate karne laga

Abhi hum shadi ko lekar discussion kar hi rahe the ki andar se kanchan ke jor jor se cheekhne ki awaz sun kar dono ghabra kar turant andar bhage….andar pahuchte hi meri ankho ne jo drishya dekha us par yakin karna mushkil ho gaya
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE--7


Nandini aur kanchan dono alka ke sath mere kamre me us painting ko dekhne ke liye chali gayi aur main rastogi ji ke sath baith kar kal ki shadi ki taiyari ke bare me baate karne laga

Abhi hum shadi ko lekar discussion kar hi rahe the ki andar se kanchan ke jor jor se cheekhne ki awaz sun kar dono ghabra kar turant andar bhage….andar pahuchte hi meri ankho ne jo drishya dekha us par yakin karna mushkil ho gaya

Ab Aage……..

Jaise hi hum room me pahuche to samne kanchan ek kone me dari sahmi khadi thi aur uske samne vahi nagin apna fun phailaye us photo me kundli maarkar baithi huyi thi

Alka (darte huye)—dekhiye…ye…ye wohi nagin hai

Rastogi—omg…..kya ab bhi tum isko sirf ek andh vishwas hi kahte ho kumar…..?

Kanchan—mujhe bachao papa pahle…ye mujhe yaha se hilne dulne bhi nahi de rahi hai…thoda sa bhi idhar udhar hoti hu to kaatne ko jhapat rahi hai

Kumar—aap chinta mat kijiye…mai kuch karta hu

Alka—sambhal kar jana udhar..mai to kahti hu kisi saanp pakadne wale ko bulate hain to jyada theek hoga

Nandini—alka sahi kah rahi hai

Rastogi—mai abhi phone karta hu

Kumar—par ye aayi kaha se is kamre me

Alka—pata nahi.....hum jab kamre me aaye tab koyi bhi nahi tha yaha.....kanchan ji ne jaise hi us photo me hath phera to tabhi pata nahi kaha se achanak ye nagin kanchan ji ke upar kud padi......ye to achcha hua ki unhone turant use jaldi se niche phek diya....lekin ab vo unko kahi jane nahi de rahi

Rastogi—kuch bhi kaho kumar....tumhari ye photo bahut hi jyada rahasyamayi hai...chahe tum mano ya na mano... sabse pahle rahasya ki baat to yahi hai ki ye photo tumhare hatho khud-ba-khud ban jati hai tum na bhi banana chaho tab bhi roj...dusra rahasya....ye nagin hai jisne tumhe kahi aane ko kaha hai kagaz me likh kar bataya bhi.. teesri hairani ki baat ye hai ki ye nagin ka is photo wali ladki se avashya hi koi gahra rishta hai....mera to dil kahta hai ki tumhara aur is photo wali ladki ka avashya hi koi na koi apas me rishta hai

Kumar—par uncle...mai to is photo wali ladki ko janta tak nahi hu aur na hi kabhi isko dekha hai maine aaj tak kahi bhi

Rastogi—is baar ke exhibition me to kohram mach jayega dekhna tumhari is rahasyamayi painting se

Nandini—pahle meri beti ko to bachao

Rastogi—saanp pakadne wale ko phone kar diya hai vo aata hi hoga….beti tum chup chap bilkul shant vahi khadi raho

Mai khud bhi bahut hairan tha ki ye nagin baar baar mere kamre me kaise aur kaha se aa jati hai aur phir achanak se khud hi gayab bhi ho jati hai…khair hum apas me aisi hi apni udhedbun me lage huye the tab tak vo saanp pakadne wala bhi pahuch gaya

Sapera—kaha hai saanp……?

Rastogi—aa jao…yaha is kamre me…..vo rahi nagin……

Sapera (nagin ko dekh)—kyaaaaaa……… isko ko pakadna hai……..?

Kumar—aur nahi to kya ab hum khud ko pakadne ke liye tumhe bulayenge…..

Sapera—maf karna….mai ye nahi kar sakta aap kisi aur sapere ko khoj lo is kaam ke liye

Rastogi (hairat se)—kyo…kya hua…tum bhi to sapere ho….? Tumhara to kafi naam hai

Sapera—ye bahut khatarnak nagin hai…..iske bare me kayi baar TV me bataya ja chuka hai….ab tak isne 100 se jyada logo ko kaata hai aur unme se koi nahi bacha hai aaj tak….mujhe abhi marna nahi hai

Kumar—use pakad ke jungle me hi to chhodna hai tumhe

Sapera—use koyi pakad hi to nahi paya hai aaj tak…..jisne bhi koshish ki vo jaan se gaya

Kumar—ye koyi jaruri thodi hi hai ki ye vahi nagin ho……koi dusri bhi to ho sakti hai….uska koyi naam thodi hi likha hai uske mathe par…ki jo tum aisa kah rahe ho

Sapera—nahi ye vahi hai…vo dekho..uske gale me ‘’v’’ likha hai...yahi uski pahchan hai

Sapere ki baato se pahli baar hamara dhyan us taraf gaya to vakayi me uske gale me vahi hindi ka word likha hua tha….jisne ek baar phir se sabhi ko hairani me daal diya

Sapera—mai chalta hu…ram ram

Sabne bahut rokne ka prayas kiya lekin vo sapera nahi mana aur jaise aaya tha vaise hi vaha se chala gaya….hum sab ke mathe par shikan ke badal madrane lage

Nandini (pareshan hokar)—ab meri beti ka kya hoga….? Ye usko kaat legi ab

Kumar—mai kuch karta hu…aap chinta mat kariye

Alka—nahi…nahi…aap uske paas mat jaiye

Kumar—daro mat….mai kanchan ji ko yo marne to nahi de sakta na….sab theek ho jayega

Maine bachane ke liye kah to diya tha par phat to meri bhi rahi thi…itna sab dekh kar aur upar se us sapere ne jo bataya is nagin ke bare me to halat to patli honi hi thi

Koi insan hota to kab ka ab tak mai usko patak diya hota lekin yaha baat kisi insan ki nahi ho rahi thi balki ek nagin ki thi…darte huye main aage kanchan ki taraf badhne laga

Rastogi—kumar sambhalkar…..be careful

Kumar—hhuuuuu

Mai himmat kar ke aage badhne laga….par jaise hi us nagin ke paas pahucha to mere pair thar tharane lage…badi mushkil se apne andar ke darr ko kabu kiya hua tha maine

Kumar (darte huye)—chal bhag yaha se…..chal ja…jaldi se

Aur tabhi jaise chamatkar hi ho gaya.....mere itna kahte hi usne apna fun niche kiya aur sarakte huye vaha se chup chap khidki ke raste se hokar bahar nikal gayi

Hum sabhi shocked hokar use hi dekhte rah gaye...jab tak ki vo hamari ankho se ojhal nahi ho gayi.....uske jate hi kanchan bhag kar mere gale se lag kar rone lagi..sath hi alka bhi ek taraf se mujhse aakar chipak gayi

Kumar—shant hojaiye kanchan ji...ab vo chali gayi hai...tension ki koi baat nahi ab

Rastogi (hairat se muh phade)—ek aur rahasya ki baat hai ye....ki tumhare ek baar kahne matra se hi vo chup chap chali gayi yaha se

Alka—mujhe to bahut tension ho rahi hai ab

Kumar—mere hote huye tumhe kis baat ki tension hai

Nandini—shukriya beta…tumne aaj meri beti ki jaan bacha li…tumhara ye ehsaan hamesha mujh par upkar rahega

Kumar—aisa mat kahiye aap….ye to mera farz tha

Rastogi—sochne wali baat hai ki us word ka kya matlab ho sakta hai….A ka matlab alka …A ka matlab Arjun….right arjun….yahi matlab hai us word ka…arjun

Kumar—koun arjun….? Main kisi arjun ko nahi janta

Alka—ha...us kagaz me bhi to kisi arjun ka hi jikra tha

Rastogi—bahut hi rahasyamay baat hai ye....akhir ye arjun,ye nagin aur tumhara is painting se kya connection hai.... ?
 
Well-known member
3,825
7,366
143
NAAG MANI
UPDATE—8


Rastogi—sochne wali baat hai ki us word ka kya matlab ho sakta hai….A ka matlab alka …A ka matlab Arjun….right arjun….yahi matlab hai us word ka…arjun

Kumar—koun arjun….? Main kisi arjun ko nahi janta

Alka—ha...us kagaz me bhi to kisi arjun ka hi jikra tha

Rastogi—bahut hi rahasyamay baat hai ye....akhir ye arjun,ye nagin aur tumhara is painting se kya connection hai.... ?

Rastogi aur unki family us ghatna ke baad kuch der ruk kar shadi par charcha ki aur phir chale gaye…baki ka din usi ghatna par soch vichar karte huye nikal gaya

Khana to bahar se hi khakar aaye the to sidhe hi sone chale gaye…..main bhi let kar us ghatna ke bare me bahut der tak sochta raha

Kumar (mann me)—akhir aisa ho kyo raha hai…..? kya sambandh hai mera us painting se….kya rastogi uncle ki baat sahi hai ya phir ye sab mann ka ek vaham hai….? Kya mujhe iski sachchayi ki khoj karni chahiye….? Magar kaise…?

Ye sab sochte sochte na jane main bhi kab need ki agosh me chala gaya….mujhe soye huye abhi kuch hi ghante huye honge ki tabhi mujhe aisa laga jaise koyi mujhe pukar raha hai

Mujhe uska chehra to dikhayi nahi de raha tha kintu uski dard bhari karun pukar mere kano me jarur pahuch rahi thi….main dhyan se us awaz ko sunne ki koshish karne laga…ye kisi ladki ki awaz thi jo rote huye kuch kah rahi thi.. kyon ki bolte huye uske shabd ladkhada rahe the aur sisakne ki awaz saf suni ja sakti thi

“Arjun, tum kaha chale gaye…..apni anjali ko chhod kar.....tumne to vada kiya tha mujhse ki tum phir se vapis aoge mere liye….mai kab se tumhare aane ki pratiksha kar rahi hu…..lout aao arjun…..tumne jate jate mujhe apni kasam dekar rok gaye ki mere loutne tak yahi mera intazar karna, tab se bas tumhara intazar hi kar rahi hu, pran bhi nahi tyag sakti tumhari us kasam ki vajah se

Ab aur intazar nahi hota..arjun…tumhe gaye huye hazar varsh kal poore hone wale hain….mujhe bhi apne sath le jate….yaha mujhe zinda lash bana kar kyo chale gaye….?…

Kal poornima hai……poornima ko hazar varsh poore hote hi meri shaktiya ek bar phir se jagrit ho jayengi…jiska us maha papi aghora ko sadiyo se intazar tha…isi din ke liye to usne mujhe qaid kar ke tapasya me lag gaya tha jo kal poori ho jayegi…tum to jante ho ki uski qaid me hone ke karan meri shaktiya bhi uske hi kabze me chali jayengi

Agar kal bhi tum nahi aaye arjun….to main kal apne pran tyag dungi….apne aap ko us maha papi ki shaktiyo ke adhin karne aur khud ko uske napak hatho se ganda hone se bachane ke liye mujhe pran tyagna hi hoga ab… mujhe maf kar dena arjun….mai tumhari di huyi kasam nahi nibha paungi kal ke baad….apni anjali ko kshama kar dena arjun

Sirf kal ka waqt hai arjun tumhare paas apni anjali ko bachane ka….aa jao arjun meri ankhe tumhari ek jhalak pane ke liye taras rahi hain

Tumhari anjali tumhara intazar apni akhiri saans tak karegi, arjun……….tum sirf mere ho arjun aur main sirf tumhari…...phir uski awaz dhire dhire dhimi hokar mujhse dur jane lagi….mere hoth kuch kahne ke liye kaampne lage….wo dur jati gayi….jati gayi….aur phir uski awaz mujhe sunayi dena bhi band ho gayi….”

‘’Anjaliiiiiii……..’’ chillate huye meri achanak need khul gayi….poora chehra pasine se lathpath ho gaya tha…jism me abhi bhi kampan ho raha tha

‘’Kya hua apko….aap chillaye kyo…..sab theek to hai na….’’ alka ne meri cheekh sun kar need se uth mere paas aate huye kaha

Kumar—hhh……haaan….sab theek hai..(maine towel se apna chehra pochhte huye jawab diya)

Alka—apko itna pasina aa raha hai…koyi bura sapna dekha kya….?

Kumar—pata nahi….shayad ek sapna hi tha

Alka—ye anjali koun hai…..?

Kumar (gambhir hokar)—anjaliii……anjali ..pata nahi

Alka—abhi to aapne uska naam liya tha..need me

Kumar—koyi sapna tha shayad……jo kisi arjun ko pukar rahi thi

Alka (shocked)—arjun …ko…….?

Kumar—haaa….shayad arjun se uska koyi rishta ho…pata nahi ye arjun koun hai….? Aur mere piche kyo pada hai…?

Alka—mujhe to bahut darr lag raha hai…..hame kisi sadhu ya tantrik se milna chahiye

Kumar—sab bakwas hai….tum itni padhi likhi hokar bhi aisi dakiya nusi baato par yakin karne lagi…?

Alka—kya karu, halaat hi kuch aise bante ja rahe hain…jo mujhe aisi bato ki taraf vishwash karne ko vivash kar rahe hain

Kumar—jao ,..so jao….kal hamari shadi bhi hai…to kal raat me bhi tumhe jagna padega na

Alka—apko aise samay me bhi romance sujh raha hai, jabki meri to jaan nikal rahi hai

Kumar—chinta mat karo, sab theek ho jayega, chalo ek good night kiss do aur yahi so jao

Alka (mushkura kar)—na baba..na….kahi aap aaj hi na kuch karne lag jaye….apke paas aaj sone me khatra hai… main dusre room me hi theek hu….bas aaj ki raat aur sabra kar lijiye

Kumar (apne paas khich kar)—ab mujhe mat roko…..hota hai jo, vo ho jane do….

Maine alka ke hotho ko chumte huye unka ras pine laga….vo bhi thodi na nukur karne ke baad mera sath dene lagi….aise hi halki fulki chhed chhad ke baad hum ek dusre ki baho me lipat kar so gaye

Agle din subah jab need khuli thi alka vaha nahi thi….thodi hi der me vo coffee le aayi…uske baad main bhi fresh hua…shadi ek mandir me thi…par maine ek cheez mahsus ki aaj mere mann me jane kyo kuch bechaini si ho rahi thi……..main sapne wali anjali ki bato ko bhula nahi pa raha tha….rah rah ke mujhe uski kahi huyi bate yaad aa rahi thi…jiske karan meri bechaini bhi badhti ja rahi thi

Rastogi uncle ki family bhithodi der baad vaha aa gayi…hamne sath me nasta kiya…shadi ki sabhi taiyariyo ko rastogi uncle hi dekh rahe the

Nandini—main alka ko taiyar karne parlour lekar ja rahi hu….hum sidhe shadi ke mandap me pahuch jayenge… aap log nikal jana

Kumar—ok, aunty

Phir kanchan aur nandini, alka ko lekar usko dulhan ka shringar karne beauty parlour chali gayi….main aur rastogi uncle bhi thodi der baad shadi ke mandap me jane liye mandir ki oor nikal gaye….
Kya hoga aage….Kya Kumar aur Alka ki shadi ho payegi…..?
Koun hai ye Anjali…..Kya kal Arjun usko bacha payega….?
Janne ke liye padhe next update….
 

Top