Romance Pyar Ek Tyag !!(season:-1)short version

Newbie
49
53
18
Story of love or Adventure is on starting mode,there is a season 1 that is going to be posting as in short version firstly but at last there next season will be the long far Adventurous and love-compasion story of Arish life.

Well,mai yaha iss pahle season ko post kr raha hu as a simply you can read and enjoy it :smoking: .

That's it there is startup of season in Romance prefix bcz I don't found any relatable prefix for this one.
 
Newbie
49
53
18
Aaj ki sham badi rangeen hone ko thi Chand samay pe Chadha tha raat hone ko thi uss shital aur nami wale mausam me bhi jaise aaj thand ka namonishan nhi tha,har tarf nazre ghumti to jism ki khusboo ek alag hi parhej me daal deti.Party ki aalochna Krna uphas kam waha aayi unn mahilao ki khubsurti se jyada jism ki bhook me dubna kahna thik rahega.Har ek shaks apni apni mahilao ya apni masukao ke sath dance ya baith baat chit ya drink ke maze le rahe the aur party ki shaan to kya hi kahe kahna galat nhi hoga ki party me paise Sanjay ne Dil khol ke ki thi.Uss lawn me ek table pe baitha mai ye sab soch raha tha.

Sham puri dhal gayi raat bhi rangin hone ko thi.Mast garmi badh Rahi thi uss lawn me har ek ki aankho me party ke shan Sia ko dhun rahi thi.Haa Sia Sanjay ki khubsurat wife,har ek ki nigah Sanjay ki patni Sia ko hi dhunde ja rahi thi.

Khair ye ankho ki khoj jyada der nahi thami rahi,bas kuch hi der me hi Sanjay aur Sia ki entry hui uss aalishan saje hue uss bangle ke door se,jaha dono ke hath ek dusre ke aalingan me the.Jaha unke har qadam par unke piche roshniyo ka ek sunahra drishya ho raha tha,undono ke har qadam unpar gulab ke fool barsa rahe the. Sabki taaliyo ki gunj me wo chalte hue aage stage par aaye jaha unke pure pariwar aur relatives unke intezar me the.

****"Happy anniversary beta......"

"Happy anniversary jija ji ........"

"Shadi ki saalgirah Mubarak ho mere bacho......"

"Meri didi aur pyare jiju ko meri tarf se dher sari shubhkamnaye......"

"Happy marriage anniversary bhaiya....babhi......"

..............*****

Unke stage ke bicho bich aate hi unke pariwar ke logo ne unko badhayi Dena aise shuru Kia ki mano bhandare ka bhoj baat rahe ho khair unn dono ne sabko sukriya ada kiya aur gale mile.

Khair cake ka murder Kia dono ne aur sabka muh mitha hua pariwar me aur sare pariwar ke logo ke gift dene ke baad guests ki bari aayi jo stage par aate gaye aur wishes aur gift unhe thamate gaye unhi me se Mai unki ore chalta hua stage par aaya mughe dekh to mano waha khade stage par sabke chehre meri tarf ho gaye, haa jante the wo mughe akhir janenge kyu nhi akhir meri dhadkan thi unke pass, china tha unhone usse mughse ya usne khud mughe chora tha, khair mai abhavna ki mann se chehre par muskan liye Sanjay ke pass pohocha jo aakr mughse gale mila aur bola.......

"Tu agaya...kaha tha abtak....aur tu stage pe kyu nhi aaya"

Mere najar anyaas hi Sia par chali gayi jisne meri najre apni ankho me gahrayio me jhankta pakar achanak mod li jaise usne sabkuch najarandaz kar diya ho mere uss najar ko jo uske dil ke jazbaat aaj bhi janna chahta tha.

"Yu hi bas kisi ke lafz gunj gaye the iss bahre ke kano me bas ussi lafz ki talash me der hogayi"

Maine ye baat apni nazre wapas Sanjay ki ore krte hue kahi thi,jiska parinaam ye hua ki sia ki nazre fir se mughpar tiki jaise mano ki wo purani yadon ko tatol rahi ho.

"Are waah Arish bhaiya tum to alag hi level ke sabdo ki antakshari khel rahe ho"

Ye baat wahi khadi ek ladki ne kahi thi jiski bato ko sunn maine ignore Kiya aur sia ki ore krte hue mai bola

"Happy marriage anniversary Sia ji....!!"

Ye kahte hue maine uski hatho ki ore ek bada sa box kar diya.....

Usne apne kapte hue palko se apni nazre Sanjay ki wor ki jo uska intezar kr raha tha mano kab wo box ko thamegi,usne apne hatho ko aage badhaya aur jinme mehndi ka daag ek alag hi chap chode hue tha ussne box ko thama aur piche table par rakhna chahi tabhi.......

"Are waah Sia tum bhi gajab ho, are tumhare dost ne tumhe gift diya aur tum khol bhi nhi rahi are lao isse mai kholta hu."

Ye tha Sanjay jisne Sia ke hatho se gift ko lete hue usne ye baate kahi thi.

Gift ke covering ko fadte hue jo tightly packed tha.

"Akhir janaab ne itte bade box me kya de diya."

Mai jo Sia ki tarf rukh kar ke muskuraye jaa raha tha,Sia meri muskan dekh ghabrayi hui thi mano mai uske purane diye jakhmo ka sajha kiya hua dard usse wapas lautane wala hu,aise bhav uske chehre se jhalak rahe the.Meri ore wo badi aas bhari najar se dekh rahi thi mano mughe apni purane yaden aur bite lamho ki kasam de rahi ho jisse maine apni nazre wapas Sanjay ke awaz aane se modi.

"Awesome.... it's gorgeous...tune violin gift🎻 ki yaar literally ye to bohot alag hai....ek mint ye to alag hi designed hai(sia ki tarf dekhte hue)Sia tum isse baad me kholne wali thi are tumhe to violin bajane aati hai n.....plzz Sia tum aaj isse play kr rahi ho partydrink ke samay....."

Sia jo hairani bhari nigaho se mughe dekh rahi thi wo Sanjay ki bato se hosh me aate hue hi boli

"Nah....han..nhi Sanjay mera aaj mann nhi hai"

Tabhi mai bol pada......

"Ek pal tha jab iss voilin ko log dil ki nokh par isse play krte the aur apni unn purane lamho se kuch yaade apne Dil ke uss kone me basane ki koshish krte the jaha jindagi ke antim dhadkan tak wo lamha unki yado ko thame rahta tha...."

Meri bato ka matalab jaha wo log voilin se smjh rahe the wahi Sia ke ankho me jhankte hue ye bate jo maine boli thi usse sirf Sia hi smjh payi hogi jo uske nazre ferne se mughe pata chal gayi.....

Sanjay ne bola hi tha abhi ki bich me uske piche khadi ek ladki aur ladka bol pade.......

"Arish bhaiya aapko bhi to violin play krne aata hai to plzzz kriye na aaj"

"Haa Arish bhai kro na aaj apni Sangeet ki barish yaha bhi iss violin se"

Maine undono ki bato se apni nazre Sanjay ki tarf dekha jo mughe dekh raha tha aur jaha Sia ki nazre jab mughse mili to mai bol pada

"Kyu nhi par dil se,naa ki wo Mann ki bhavna liye beman se"

Mere ye kahne ki der thi ki waha khade bacho aur ladke ladkiya, unki khushi unke chehre se saaf jhalak rahi thi.

Khair party ka mahol suru hua aur sab ek dusre ke sath baate aur naste me lage hue the,sayad party der raat Tak chalne wali thi.

Jaha mai akela ek table ke pass baitha uss chand ki banavati khubsurati ko nihar raha tha aur uske aaspass timtimate unn taaro ki gherbandi ko dekh raha tha.

Unn khubsurat hui padi kaliyo jaise taro ki unn roshni me chipti-chipati uss khubsurati ki najakat wo chand ki roshni apni alam-e-sakhsiyat me kar rahi thi jiska sach samne kuch aur tha aur piche kuch aur,njane aaj kitne hi log iss Chand ki dikhte hue khubsurati jaise hi the.

"Uss chand ki khubsurati ko nihara jaa raha hai yaha"

Mai jo abhi ye sab soch raha tha ki mere piche se ye awaz aayi jo ek couple me se ek mahila ne kaha tha Jo mere pass aate hue mere samne chair par baith gayi.

"Khubsurati....sayad wo banavati ho mere liye"

Tabhi uss couple me se wo admi bola

"Sayad nhi uss khubsurati ko tum banavati nhi kah sakte,jara uski khubsurati ki nischalta ko dekho jispar njane kitne hi galibo ke lafz fida hai"

Muskurate hue unki bato par mai bol pada
"Maine apni drishyata darshayi hai"

Tabhi wo mahila boli hastey hue
"Hhhaha,kya iska karan bata sakenge aap hame"

Uski baat sun meri muskan mano anyaas hi badhti chali gayi aur khada hote hue mai bola

"Uski khubsurati ki dhaal aapko bhi najar aayegi jab uss khubsurati me aap mere jaisi drishyata ke lafzo se usse niharengi"

Unke confusion se bhare chehro ko dekh mai fir bol utha

"Kamal ke phool....uski khubsurati se to sab wakif hai,kyu !!"

Mai ye kahte hue muda aur waha se lawn ki ore chal diya.

Piche khade admi ne bola
"Maya ye kya bakwas kar raha tha"

"Kichhad !! ....Ajay kichhad me hi Kamal ugta hai aur uski khubsurati bhi kichhad ke karan hi bani rahti hai"

Mughe Sanjay lawn ke bich me bane ek band ke pass le aaya jaha kuch log song play kr rahe the

"Arish tum ready ho"
Sanjay ne mughse pucha jispar maine ek muskan bhari jisse hami smjh wo waha band ke pass stage par aaya aur mic lete hue bolne wala hi tha ki maine usse rok diya

Kuch logo ki nazre Sanjay ke karan humlogo par pad gayi thi jo hamari tarf dekh rahe the
par kuch abhi bhi apne me hi magn the

Tabhi mere pass Sanjay ka bhai voilin lekr aaya jise maine na lekr waha ek bande ke hath se guitar li jo band ka hi tha aur chair par jaakr baith gaya jaha mere samne ek mic laga hua tha.

Mughe aisa krta dekh waha Sanjay, aur waha khade ladke aur ladkiya confused hui.
Sia to shock thi akhir mai aaj guitar play krne ja raha tha jaha tak wo janti hai mughe guitar play krni nhi aati.

Wahi mai aaj kinhi purane lamho me chala gaya tha guitar ke taro ko set krte hue.

Tabhi sia aage badhne wali thi ki

(Note:-guitar ke sounds:********)

**
******
*************
********************
वो लम्हा भी लम्हा था साथ भी जो मिला था मुझको
मिलता किसी के नहीं पास वो...
जिसे बांधे घूम रहा मैं अपने दिल के कोने में
आज भी साथ जब हुआ था उसके
नैन जो मिले थे उसके
मेरे आंखों से ऐसे कि....मैं बंधता चला गया....
जैसे तैसे कट गई राते
लफ्जो की सुराही ऐसे जैसे मानो वो बासूरी मैं उसका धारक
सुबह से लेकर शाम की बाते उसकी आनाकानी जैसे मानो कोयल की बोली !!

Maine guitar ki dhun kayem rakhte hue Sia ki ore muda jo stabdh si mughe dekh rahi thi

लफ्जो की आनाकानी हुई थी शायद उसके मन में,
न जाने कैसे हुई थी ये दास्तां उसके दिल में.....

__________________________________________
"Tumhara jana jaruri hai kya"

"Haa Arish tum smjh nhi rahe papa ne nhi dadu ne bulaya hai isbar mughe"

Usko godd se sarr hatate hue voillin ko side rakha

"Kya tab fir kab lautogi Sia"

"1 mahine lag jayenge Arish"

Tabhi sia ne arish ko coller se pakd uske labo ko apne labo se bandh chusna suru kr diya jaise mano aaj ke baad aisa pal nhi milne wala arish ke sath usse.

Uske agli subah hi arish ne sia ko airpot chor aaya,jaha Sia jab apne Ghar pohochi to usse dekhne ko mila uska Ghar saja hua yaha Tak ki pura gaav jaise saja hua mano,
Sia ki shadi fix kr di gayi thi jiska virodh waha pohoch sia ne bohot kia aur ye bataya ki mai kisi aur se pyar krti hu par nhi iska parinam uske dadu ko heart attack se samna Krna pada uski dadi aur uske pariwar tak ne usse jimmewar mana aur usse Ghar me nazarband kr dia mano uska phone bhi chin lia gaya uss se.

Idhar arish jo Sia ko phone kr-kr ke pareshan tha uske call ka jawab tak nhi de paa rahi thi jiske karan usne sia ke dost ko phone kr pucha to unhe bhi kuch pata nhi tha.Arish ne jaldi se ticket ki aur apna saman bandh raat ko hi airport se Rajasthan ravana ho pada jaha pohoch usne sia ke gaav ke liye bus ki aur pohoch pada uske gaav jaha logo se pata krte krte wo pohoch hi gaya sia ke ghar jo pura ka pura saja hua tha uske dil me ek njane kyu dard sa uth Gaya tha uss samay jab ander jate hue usne ander kisi ki Shadi hote dekhi par waha sirf abhi ladka baitha hua tha jaha arish ki najar achanak hi waha uske bagal me lage tirpal ke pass board par gayi to wo 1-2kadam piche ho gaya jaha usse itta bhi dhyan nhi aaya ki wo kis se takra raha hai

"Si-siaa....!!??"

******************************************वो नुमायिशे दिल की थी,
जिस तरह मैंने उसे पाया उस मोड़ पे
रुख मोड़ना चाहा उसकी बातो से मैंने
जैसे मानो चाह हो मुझे उसे रोकने कि
मुड़ कर जब मैं देखा उसकी आंखो को
तो मानो जैसे रुह रो पड़ी थी मेरी

********
**************

"संजय संग सिया"
Yahi padha tha arish ne,jaha abhi arish khada tha waha ek ladki usse ajjib hi ghur rahi thi aur usne arish ko hilate hue uss se pucha

"Oye hello....sun rahe ho"

Arish jo uski baate sun ghbrayi halat me muda to apne samne khadi ladki se kuch bolne ko hua tha ki tabhi

"Ek mint....tum-tum to Arish ho n...wait tum yaha kya kar rahe ho"

Uss ladki ne ye bolte hue usse side le gayi jaha arish uss se sidhe puch liya

"Kya tum sia ke pass mughe le chalogi plzz"
Arish ne pucha.

"Nhi..pagal ho kya yaha tumhe sabne dekha hua hai didi ne tumhare aur apne bare me sab bata di thi kyuki unki shadi fix kar di gayi thi issliye aur tab se unhe nazarband kr ke rakha hua hai"
Uss ladki ne ye kaha.

" plzz mughe ek baar milna hai uss se plzz"
Arish jiske palke bhig chuki thi usne hath jodte hue ye baate kahi thi,uski baate sun ladki ne usse apne sath piche kitchen ke raste se lekar pohoch gayi ek room ke pass jaha Sia ko kuch ladkiya gher kar rakhi hui thi tabhi uss ladki ne unlogo ko bahar bhej diya aur bagal ke pillar ke pass chup kar khade arish ko ander bulaya jaha Sia ne jab apni bahen ke piche se arish ko aate dekha to shock si ho gayi uski bhi palke bhigne ko ho gayi thi jisse chupane waste wo wapas mudte hue bol uthi

"Arish tum yaha kya kar rahe ho chale jao yaha se nhi to....nhi to"

"Nhi to kya sia....pa."

"Nhi to wo tumhe maar denge arish plzz chale jao yaha se plzz mai hath jodti hu"

Arish jo uski bate sun ek phiki si muskan bharte hue uske pass aaya aur uski hatheli ko tham usne bola

"Pata hai tumhe maine jab tumse mohabbat ki thi to ye sab maine kabhi bhi nhi sochi thi aur aaj jab mohabbat meri mere sath hai to uss maut ke har ghut ko bhi mai tumhari numayishe smjh pina chahunga"

Sia jo ektak uski ankho me apne samne lage sishe me se dekhi jaa rahi thi jiske ankho me bhi ansuo ki bunde panapne lagi thi.

"Mai-mai nhi chahti tumhe kabhi nhi chaha tha tumko bas wo ek timepass tha sirf e....."

Tabhi bich me sia ki baate kaat arish bol pada

"Jhut bolna tumhari ankho me nhi hai sia to isse kaise chupaogi tum"

Wahi piche khadi wo ladki unn dono ki baate sun wo ghabrayi bhi hui thi jaha wo bhi apni bahen ke liye dukhi dikh Rahi thi tabhi wo bol padi

"Bhabhi aur Chachi aarahi hai sia di jaldi...."

Uski baate sun sia jaha hadbada gayi thi usne arish se jald bazi me usse chup jane ko kaha par

"Sia tum chalo mere sath hum kahi dur chale jayenge yaha se bohot dur"

"Nhi arish tum smjh nhi rahe tum jao yaha se jaldi plzz jao"

Tabhi sia ki kalayi pakd arish bol pada..
"Nhi kabhi nhi tumhare Bina to bilkul nhi sia"

Uski aisi harkat dekh sia ne Arish ko kandhe se palat khich kar tamacha jadd diya.....

*Chataakkkkkk*

Jaha gate par khadi wo ladki apni Chachi aur bhabhi ko roke huye thi ki thapad ki wo tezz awazz sun kamre me daudte huye aaye jaha jab unhone sia aur ek ladke ko dekha amne samne to smjhte der nhi lagi ki wo arish hai,abhi wo aage badhte ki piche unhe side krte hue 2-3 shaks enter hue jisme se do naujvaan the aur ek middle-aged jise dekh sia ka dhyan unnpar jate uske mukh se nikal pada

"Papa...??ye..nh"

Abhi sia aur kuch bolti uske pita bol uthe

"Rajan aur Sonu le ke jao iss chokre ko itta maar ki dubara iss ghar kya iss gaav tak ke naam se katraye"

Unke bolne ki der thi ki undono ne sambhu aur Raju ko awaz lagayi jo bhage hue aaye aur dono ke madad se arish ko pakd bahar ko lejane lage jaha gate ke pass jate hue arish ek tak sia ko ghure ja raha tha jaise mano uski ankho me wo kuch jawab mang raha ho.

Arish ke waha jane ke baad uske pita ne sia ko niche lane ko kaha mandap par aur waha se chale gaye khair shadi ke mandap me dulhan bhi aagayi jiske aane se pandit ji ne apni pratikriya shuru ki.Kuch der me hi shadi ki rasham sindur maang me bharne ko aayi ki, abhi Sanjay ne sindur hath me liya hi tha ki uski najar samne se arahe gate se aate shaks par gayi jo pura khun se lathpath tha uske sar phate hua tha jisse khub bahe jaha raha tha,uske fate oth se khun ki bunde ris rahi thi jaha uske naak se khun bah raha tha uski halat bohot kharab tha yaha tak ki uske ek pair me mano khun ka sailab sa umra hua tha,apne samne aise drishya ko dekh sanjay shock nhi tha balki ek uss shakhs ko dekh shock tha usne jaldibazi me sindur ki dibiya side rakhi aur bhag kar uski ore gaya aur usse pakad side me baithe chair par se admi ko utha uspe uss ghatak shakhs ko baitha ke wo boli utha

"A-arish...?? Tu yaha...aur ye teri halat ye kaise hui"

Arish jo apne samne sanjay ko dekh thoda shock hua aur ek nazar dia ki ore dekh wo fir bol utha

"K-kuch bhi nhi bhai bas yaha dost ki sadi me aaya tha ki bahar kisi ne pichhe se maar-a, mujhe nhi pata kya hua uske baad"

"Bhai chal doctor ke pass chalte hai chal tu uth"

"Nhi be aaj jara apne iss dono dost ki shadi to dekh lun"
Arish ne ye baat Sia ki traf dekhte hue boli thi jiski ankho me aansu agaye the abtak,use ek aurat ne kalayi se pakda hua tha nhi to sayad wo yaha hoti ab tak.

Tabhi sanjay bol utha
"Pagal hogaya hai tu....chal mai bol raha n"

Tabhi Arish bol utha
"Tujhe meri kasam....dekh wo intezar kr rahi hai tera"

Sanjay janta tha arish ko ki wo na manega isliye usne bagal me khade ek ladke ko uska dhyan rakhne bol mandap par pohoch sindur ki dibiya uthayi aur apni chutki bhar sindur lekar sia ke maang par ferr dia.

_____________________________________________

Dil ka tyag karna uss mohabbat ki ye nishani,
Aur uss pyar ka tyag karna ek galib ki ye kahani !!

{Season 1 end........}
Wait for the next season coming soon but is in far way :D

Some things are better forgotten.
Moderator
439
857
93

Ek or adhure rishte or toote dil ki daastan :heartbreaking:... jese ek adhura geet... jese ek adhura saaz :sad:

By the way :congrats: for new story, and Best of Luck for your next season... we are waiting.
 
Top