Horror RAJ MAHAL (Complete) by The wolf

Love is life
2,995
1,682
143
This story is a fictional story any characters places events in these story is purely co-fictionall inka kisi bhi asal zindagi se koi lena dena nahii aur agar aisa aapko lagta hai toh ye mehez iteffaaq hai ye kahani pure fiction hai ise enjoy kijiye share kijiye but pls don’t copy it this story is only meant for entertaining purpose iska kisi religion jaati dharam se koi lena dena nahi…
 
Love is life
2,995
1,682
143
Update 1

Ghodho ki kadmo ki awaaz thak thak karti huyii…raat gaye oos sunsaan jungle ke beecho beech ke khule sadak se aa rahi thi jald hi chandni roshni ke aalam mein kuch sainik ghodhey pe sawaar hoke tez kadmo se ghodhe pe bedardi se lagaam ko pakadhe daudhaa rahe they…sabhi saniko ne kaale libaas pehen rakhe they aur aankho mein gusse ki angaar

Dhadh dhadhh dhadhh…ki ghodho ke daudhne se sannate mein wohh awaaz aur ghodho ki cheekh jo nikalein jaa rahi thi oon sabdho se saaf tha ki wohh log jald hi teherhne waale they kuch kadam daudhte hi ghodho ki disha sidhe jungle ke khatam hote hi oos bare mahal ki or jaane lagi….sainik chaabuk maarte huye tezi se ghodho ko rajmahal ke theek saamne ki or daudhaane lage….ek ke baad ek pure 10 ghudhsawaar apne ghodho ke sath raj mahal ke theek saamne aake khare huye raj mahall jo mombattiyo ki roshniyo se jagmagaa raha tha…ooske theek dwaar ke upar do shaitano jaisa mukut banaa huaa tha

Jald hi lagaam ke kheenchte hi raj mahal ke theek saamne ghodhe ruk gaye…oon mein se ek sainik apne kaale libaas ko odhta huaa ghodhe se utara aur ek baar raj mahal ki or dekhne lagaa…oosne phir ek nazar apne sainik ki or daudhaayaa aur fhir oos behosh haalat mein oos ladki ki or dekhaa…jise mazbuti se ek sainik pakadh rakhaa tha apni kandhe pe oose ghodhe par se behoshi aalam mein uthaate huye sab ke sab sainik raj mahal ke andar pravesh karne lage…

“nnnnaahiii muj..jhhhe chodhhh doo choddhhh do mujhhhe”….jald hi sainik baazu mein dabi oos murchit awashta mein ladki ne karhaana shuru kar diyaa oosne apne haath pao jhatakne shruu kar diye par sainik ko oospar zara si bhi dayaa na aayi aur tabhi sidiyo se utarte oos shaks ne apni teekhi nazar oos ladki pe daali ooski aakho mein naa jaane kaisa khauffnakk drishya ubalne lagaa oosne ek baar bari nigaahon se sainiko ki or dekha aur oose ungli mein fasse apne mote mote sone ki angutiyo ko pehne haath se oose andar le jaane ka ishaa kiyaa

Sainik aagya ka paalan karte huye aage badhne lage….ladki fhirse haath pao jhaadhne lagi aur chillane lagi….jald hi kareeb 4 gaj zameen ke niche ki ek gufaah ke sidiyo se niche utarte utarte hi jagmag roshni ke oos bare se gufaakhaane mein oos ladki ko laaya gayaa sainik apni libaas ko eke k karke utaarne lage oonhone mazbut lohe ki dhal aur khossi talwaar oonke chehre itne saqt aur bhayanak maano jaise ek hi chehre ke sabhi shaks ho.charo or andhere mein jalti mashaal ki roshnii thiiii aur beech mein ek bara sa taabut ladki fhirse haath pao jhatakte huye chillane lagi is baar ooski awaaz pe gaur karte huye sabse bare sainik ne aage badhke kasske ooske chehre pe ek thappad de maara….chataakkk…ladkii ka nichla honth kat chukka tha ladki dard se behosh hone lagi

Aur kuch hi pal wohh dard se siskariya lene lagii…ooske nichle honth se khoon ris ris ke nikal raha tha..sainik ne apni bhayanakar nigaahon se ek baar ladki ki or dekha aur fhir dabe pao waise hi khara ho gaya jaise kharaa tha..kuch hi pal mein thak thak karte huye kuch logo ki kadamo ki awaaz sidiyo se aane lagi

Jald hi ye wohi shaks utara jisne abhi kuch dair pehle sainiko ko aadesh diyatha ye they is rajmahal ke maharaj adolf vlar III is rajya ke maharaja..apne is berehem aur apni khaufnaak shakisyat se pura gaon isse darrta tha….oosne bhi lagbhag apne logo ki tarah laal libaas odh rakha tha chehre pe ghanist bhayank bhaav aankhen tehri huyi gaal ki dono haddiya dikh rahi thi gale tak dhaadhi aur safed aankho ke beech ki kanche bhi ekdum safed khaufnaakk manzar mein is khaufnak shaksiyat ko dekh koi bhi sehem jaaye oosne ek baar sehemi ladki ki or dekhaa aur fhir dheere se muskurayaaa

Nnnaahiiii nahiiiii….ladki cheekhne lagi ooske zabran haath pao ko kasske pakada huaa tha oose dheere dheere lohe ke parat jaise patthar par ulte pao laitaa diyaa gaya aur jald hi ooske kambal ko kheenchke utaar daalaa

Nnnaahiiiiii mujhhheee chodddhhh ddoooo nahiiii main aapkke aage apni zindaggii ki bheekhh maangti hoo…..lambe lambe baalo ko jhatakte huye maharaja adolf ne ladki ke sharer ko ek tak dekha aur fhir oos taabut ki or jaane lagaaa

“PAGGGAALL LADKII matt cheekhhh tujhse pehle bhi kayiino ko aise hi apni jaan gavaani padhii aur tabtak gavaani padhegiii jabtakkk mere dada shri vlar ka punarjanam nahi ho jaataaa aajjj terii ye balii dekhkar hum shaitanii roohon ki madad se apni aseem shaktiyo ke bal pe hamare dada ko punarjanmit kar lenge”…..oos garazte maharaja ne apne dono haath ko uthaaye dadhaadhte huye lagbhaag chillaake bola…ooski awaaz diwaar se takraati huyi gufa mein hi gunz rahi thi

Ladki ekdumm kaanpein jaa rahi thi ooske jism pe ek bhi kapraa nahi tha….aadesh anusaar sainik turant paas aaya aur ladki ke gardan pe mazbuti se apne haath ki pakadhh rakh liiii

Nnnaahii nahiiiiiii….ladki cheekhen lagii ooski saansein gale mein hi ghunttne lagi….maharajaa ne saamne khare libaas pehne sainik se wohh bara sa belcha (meat chopper) uthaaya aur dheere dheere ladki ke kareeb aane lagaa jahan oose patthar pe laitaaya hua tha ooski gardan lagbhag patthar ke kaggar pe thiii

Nnnnaahinnn nahiiii…..ladki cheekhne rone lagii…oon behad khaufnakk chehro waale kaale libaaz odhey bas oos khaufnak manzar ko dekh rahe they…mombatiiiyo ki lau phadhpadhaa rahi thiii…maharaja ne saqti se oos belche pe haatho ko kass liyaa aur jald hi shaitanii mantro ka jaap karte huye apne aankho ki safed putliyo ko ulata liya ab ooski ankhen safed gulaabi sit hi wohh chehra upar kiye mantra ko badhbadhaaye jaa raha tha…ladkiii mazbut haatho ki giraft mein thi aur kuch hi dair meinnn chehre ko saqt karte huye maharaja ne apne haath ke bhelche ko theek hawaa mein uthaa liya aur fhir ekzodaar chillate huye awaaz ke sath ladki ke gardan pe utaar diyaaa

AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAHHHHHHHHHHH…..EK behad khaufnaakk cheekh gufa se hote huye pure raj mahal aur oos sannate bhari raat mein gunz uthi….hee hee heeee karti huye ghodhey bar iaankhen nikaale sehem utheyyy bijliya khadhak uthiiii
 
Love is life
2,995
1,682
143
Update 2

Khoon se maharaja ka chehre pe cheenthein uth aaye they oosne ek baar apne munh ko kholte huye zubaan se ird gird ke khoon ko zubaan se ponch liya aur fhir oos sar kati laash pe nazar daudhaayiiii ladki ka sar dhadh se alag hoke sidhe taabut ke or giraa huaa tha charo or khoon ke cheeitein aur farsh pe khoon beh raha tha….kuch mombattiyaa khoon ke cheenton se bhuj chuke theyyy

Ye maut ka khel kuch hi pal mein thamm chukaa tha…..maharajaa ne paas gire oos bejaan sar ko uthaa liyaa ladki ki nazarein khauff se waise hi teher gayi thi khoon sar ke niche se tapakein jaa raha tha….dheere dheere taabut ko hataa diyaa taabut ke hatte hi qabar mein sadi gadi maharaja ke dada ki laash pari huyi thi khopdi ke ird bicchoo theyyy maharaja ne ladki ke sar ko haatho mein liye dhaanche ke upar kar liyaa jald hi tapakta khoonnn dhaanchey ke andar jaane lagaa aur pura kankaal khoon se bheegne lagaa

“hahahahhaa bassss kuch aur kurbaani kuch aur kuraabiii aur oosske baadd aap amar ho jaogge aap waapis jee uthogee aur yahiii nahiii shaitani ilam ka yehhh khelll is mahall ke aane wale pidhiyo tak chaltaa rahegaaa hahahaha”….oos hassi ke baad sabne maharaja ka naam lena shuru kar diyaa…..taabut ko waise hi khula chodh diyaa….maharajaa apne sainik ke hukam bhare awaaz ko sunnn haath dikhaata huaa sidiyo se upar apne kuch shagirdo ke sath chalaa gayaa…oosne ek baar dheere se sainapati ko awaaz di jisne ladki ke gardan ko mazbuti se pakaraa huaa tha…apne safed nigaahon se khoon bhare chehre ko ponchte huye haatho se oosne sainik ko laash ki taraf ishara karte huye kaha

Iske jism ko kaant kaant kea lag kar do aur iske khoon ko mere dada ke jism pe daalke oonhein nehlaao aur goshtt aur haddiyo ko vidhi anusaar jungle jaake shairo kea age daal denaa….aadesh ka paalan karte huye sainik ne apne sar niche jhukaayaa

“ji huzur”…itna suntte hi senpati ke munh se raja dheere dheere upar chala gaya bhelche se bedardi se khoon se sar katii laashh ko kaantna shuru kar diyaa gaya aur kuch hi dair meinnnn taabut ke theek andar pare bejaan haddi se bhare jism pe khoon daala gayaa puri tarike se laash ko bheegoke nehlaaya gayaa jald hi mombattiyaa khoon se bheegte huye bhuj gayiii pure gufaa mein fhir wohi sannata chaa sa gayaa

Ye tha is raj mahal ka ghinona sachh…ek khauffnakk sachh jo kayi barso se is mahal pe hota aaya tha har mahine gaon se ek jawaan ladkii ko uthaaya jaata aur fhir shaitani mantro ke jaap ke baad maharaja ooski aisi hi bali chadhaa diyaa karta…goan waale issse pareshan ho uthe par oonmein itna sahas nahi tha ki wohh raja ko jawaab de sake…maharaja lagbhag har roz aise hi maasumo ke sath maut ka khel kheltaa….is raj mahal ki sacchai ye thi ki barso se inke khaandan mein tantra aur shaitano ki puja huya karti thi Europe ke is rajyaa mein mein ye waardaat kareeban kaafi salo tak chalti rahiii

Lekin ekdin dusre rajyaa ke raja ne aakraman kar diyaa aur waise hi maut ka kheel khelaa…oosne raja ko waise hi yuddhh ke waqt prajaay kiya aur fhir oosi gufaa mein ooska bhi sar ko bedardi se dhadh se lag kar diyaa aur yahin nahi ooske har sainik aur senapati ko maut ke ghaant utaar diya gaya…aur sabhi ko oosi gufaa mein daal diyaa gayaa….jald hi gufaa ko raja ne band kar diyaa aur is tarah raj mahal bhi mahal se ek khandar mein tabdilll ho gayaa….kuch saal tak oos raja ne apna rajapat aur aur oos mahal pe raj kiya lekinn ek ke baad ek har raja ka sadasya marne lagaa..aur jald hi rajmahal fhirse sannate mein dub gaya aur dheere dheere khandhar mein tabdil ho gayaa
 
Love is life
2,995
1,682
143
Update 3

100 yrs later

Charles sar pe ek kaali round topi aur hontho ke beech fassi cigarette...ek besh keemati coat aur pant mein apne rayiz cabin mein baithe…kitaab ko taakte oos shaks pe apni nazar gadhaaye huye tha…oos shaks ne kitaab ko rakhte huye chashme ko theek kiya aur muskurake bola “hmmm tohh ye haii raj mahall ki kahaniii”…..hafeez ne muskurake saamne baithey mr charles ki or muskurate huye bola
“hmmm logo ka kehna yahi haii aur yahi nahii kehte hai ki oos raj mahal mein saalo tak koi nahi reh paaya yahi dekh lo jisne raj kiyaa wohh raja bhi maraa aur osska rajpat bhi khatam ho gaya yakeenan manhus haveli rahi hongiii bhalaa sar kaatne waale lgoo ko marke koi wahan reh sakta hai bhalaa hahahaa”…..charless ne cigarette ka ek khass liya aur fhir dhuaa chodhaa

Hafeez ne chashma utaarte huye ek nazar oos peele padhe kitaab ke panno ki or daudhaay iaur fhir kitaab ko band karke rakh diyaa…charles ne kuch dair tak hafeez ke sawaal bhari nigaaho ko dekha aur fhir ooske sawaal se pehle hi oose sawal jahir karne ka isharak ar diyaa

Charles – dekho ye project tumehin mila hai aur main tumse zyada koi sawaal nahi karungaa ab tum Norway ke best architechts mein se ho toh I am definitely sure that thing goes workout aapko azib toh lag nahi raha hogaa ki itne purane zamaane ke castle ke baarein mein aapko main batake daraa raha hoo par ye sacchaii hai
Hafeez – toh aap in baton ka yakeen karte haiiii

Ek pal ke liye charles chup raha fhir oosne dheere se cigarette ko plate pe masla aur fhir khaaste huye haafeez ko ghurrke bola

Charles – dekho isse pehle bhi is project ko mr henry ne liya tha lekinn na jaane kaise dimaagi santulan kho baithey aur ek din car accident mein mare gaye oonka kehna tha ki oonhone mahal kea as paas sainiko ko dekha tha
Haafeez – haahaha arre sir hamara kaam hi toh architecture ka hai aur main pehla aisa Hindustani hoo jise shayad itna bara contract mila hoga Norway mein mujhe best banna hai aur ye mahal kya hai arre sar maine itne haunted house ko todhke seesh mahal khara kiya hai ki dekhne waalo ke munh se waah nikal jati hai ab dekhiye sir ye afwaah yakeenan is chote sheher ke log daraane ke liye failaate ho lekin asal zindagi mein jo beet gaya so beet gaya

Charles – toh tumhare kehne ka matlab hai kii jo henry ke sath hua yakeenan hadsa tha?
Hafeez – bilkul sir agar oonhone apna dhyaan idhar udhar na lagake is project pe lagaya hota toh shayad he would be successful kya pata shayad oonke niji kuch problems ho jis wajah se depression mein aake anyways ab main chaltaa ho
Charles – ok main tumehin rokunga nahi waise chaho toh is kitaab ko le jaa sakte ho fhir padh lena
Hafeez – hafeez kabhi ksii contract ko naa nahi bola hai sir I am looking forward to it waise sarkaar ne jab is khandar ko todhne ka faisla kar liya hai toh wahan jaake ek baar jaayeza liya jaaye wahan rehke main acche se bangle ka moyna karke wahan resort khara karne mein aasani ho jayegi aur main akela hoo so meri wife aur main aaram se wahan time bhi bitayenge akele
Charles – theek hai mera aadmi tumehin adolf castle dikhaa dega fhir tum wahan jaake apna kaam shruu kar sakte ho
Hafeez – theek hi hai waise ye adolf castle hamare sheher se kitna dur hai?
Charles – bas do sheher chodhke bare se paahdi mein stith chote sheher se hote huye ghani jungle ki waadiyo ke beecho beech ye bara sa khandar yani raj mahal hai waise sarkaar ise todhke ek hotel palace banana chahti hai agar oonhein project pasand aaya toh I am apsoultely sure ki tumhein isse bhi bare project ke liye chunaa jaayegaa

Hafeez – ok sir tab toh main koi kasar nahi chodhungaa

Hafeez ne charles se haath milaaya aur khushi mann se kitaab pe ek nazar na daudhaaye sidiyo se niche utar gayaa….pure din thand ki os mein hafeez ne ek cigarette sulgaayii aur pure raaste cigarette ka kash lete huye ghar ki or jaane lagaa….hafeez 10 saal pehle hi Norway mein shift hua tha isse pehle oosne bare bare Europe ke shehero mein apne naam ki chaapchodh rakhi thi kayi building resorts aur hotels banaye they…ab tak ka hafeez ka yeh sabse bara sarkaari project tha jispe 10 arab lagaa tha….uk se architecture mein post graduation karne ke baad hafeez bara architect ban gayaa…Hindustan ke yakeenan chune huye logo mein se ye ek shaiskayat tha jisne pehli baar kamyabi ki aisi seedhi haasil kit hi

Haafeez ne india ko bahut saal pehle chodh diya tha maa baap ki mrityu ke baad ek bare sheik ne hafeez ko goad le liya aur oose uk mein laake padhaaya likhaayaa…jald hi oonka inteqaal ho gaya aur oonke marte hi hafeez ne khud ko pao pe khara kar liya sheik ki biwi se tang aake hafeez ne ghar chodh diya aur akele hi apni zindagi basar karne laga

Hafeez ko naa hi bhoot prêt pe wishwas tha aur naa hi wishwas tha uparwaale par ooske paas sabkuch tha lekin ek cheez jo ooske paas nahi thi jis baat ka oose harpal khuda se narazgi thi who tha apnapan oose kisi se apna pyaar nahi milaa…dheere dheere haafeez apne kaam ko leke hi bas uljha rehne lagaa lekin zindagi ne is akelepan mein ek anchahe apne ko dastak diyaa…dastak dene waalii jo thi oose dekhkar gam akelapan dukh sabkuch ek jhatke mein hafeez neb hula diyaa

Ye koi aur nahi hafeez jiske under mein train ho raha tha oosi ki iklauti betii mahi sheikh se…mahi ke zindagi mein tha sabkuch khushiyaa aur shardhaa chori chori nazaro se nazarein mili aur hafeez coffee ki meeting pe mahi ko ghumaane le jaata..dheere dheere mulaqat pyaar mein badalne lagi…aur hafeez ne pyaar ka izhar kar diyaa…lekin mahi kuch aur chahti thi hafeez ne ooske nazaro ko bhaapna aur shaadi ke prastav se khush ho baithaa

Aur jald hi kaafi manane ke baad mahi ke papa ke izazat se dono ne shaadi kar li…shaadi ko ab 1 sal ho chukka tha…lekin hafeez ne apne badhte bhoj ke tale mahi ko koi kami mehsus hone nahi di shaadi ke turant baaad honeymoon mein camping kiya ghumaa fhiraa kaafi mauj masti kiyaa dono ki zindagi lagbhag khushi mein dubi thi..mahi iklauti apne papa ki beti thi isliye hafeez ko jald hi Norway ka citizenship mil gaya..aur jald hi dono khushi pal se rehne lagee

Lekin jab hafeez ko raj mahal ka contract mila toh ab dono ko ek naye ghar mein shift hona tha…hafeez mahal mein rehke kaam shuru karna chahta tha taaki mahal ko samajhke bilkul waisa hi wohh nayi imaarat khari kar sake..lekin akelepan mein kahi raha jaaye aur wohh mahi ko ek pal ke liye khud se akela nahi karna chahta tha jald hi dono ne raj mahal mein shift hone ka faisla kar liya.aur dono charles ke aadmi ke sath raj mahal ki taraf rawana ho gaye…
 
Love is life
2,995
1,682
143
Update 4

Ghani waadiyo ke beech se gaadhi nikalte huye apne modh ki tarah badh rahi thi..hafeez chupchaap thand se haath ko ragadh raha tha aur mahi behad shaanti se waadiyo ko dekh rahi thi aage ki sit par charles ka aadmi cigarette pee raha tha aur paas hi driver bhi baithaa tha…har koi chupchaap tha…jald hi ghani waadiyo se nikalke ek chota sa sheher aa gaya pahadhi ke neeche se ye dhundh mein bhi kitna haseen lag raha tha….hafeez ek pal niche ki or dekhke mahi ko muskurake bola mahi bhi jhankkein niche ke khubsurat sheher ko dekh rahi thi

Jald hi sheher ke raasto se hatte hi jungle shuru ho gaya mahoul khubsurati se ekdum ghani sannate bhare jungle ke illako mein tabdil ho gayaa jab gaadhii tez hawao ke beech se chal rahi thi…tohh chidhyaa maano jaise hurr hurr karti huyii udh gayiiii maano jaise oonke seene mein kaisa kahuff chaaya ho sab oos daudhti gaadhi ki or dekh rahe they mahi ki nazar jab jaanwaro pe pariii toh ooske zehan mein jaise sawaalat bikhar gaye lekin maathey pe shikhar laake wohh fhir chup hoke oos jungle ko dekhne lagii

“Dekhiye sir mahal aa gayaa”….itna kehte hi charles ke aadmi ki baat sun haafeez ne jhankke jab saamne ki or dekhaa toh jungle se hatkar ek khaali ilaake mein ek bara sa rajmahal aa gaya mahal ki diwaare kaai padh chuki thi azib se sheeshe jo dwaar ke mukut par bare bare shaitan ke murtiya thi wohh tutke aadhi hi bachi thi

Jald hi gaadhi dwaar ke theek saamne aake rukii…sab gaadhi se utare…hafeez munh se bhaap chodhta huaa siharte huye charles ke aadmi se baat karne lagaa…mahi gaur gaur se raj mahal ke is khandar ko dekh rahi thi
“kaisa lagaa? Jaan maine kya kaha tha pura haunted house hai hahahaa lekin dekhna iske tutne ke baad kya aalishan palace banegaa”…..hafeez ne muskurake bola
“hmmm lekin dekhke lagta hai jaise saalo se is band khandar mein ek chidhiya bhi nahi baithti”….mahi ne gambhirta se hafeez ki or dekhte huye bola
“haan madam ye khandar ban chuki hai pehle kabhi bara sa raj mahal tha…khairr ab aapko sir ke sath toh yahan rehna hi paregaa aap chinta mat kijiye mera naukar aap dono ki dekh rekh ke liye rakha jaayega wohh paas hi ke chote se sheher se hai waise bari muskil se is khandar ka contract sir ko mila warnaa sheher waale toh yahan kisi ko aane hi nahi dete”…..Charles ke aadmi ne cigarette sulgaate huye bola
Ek pal ke liye hafeez ne charles ke aadmi ko gusse se ishara kiya aur fhir ooske baazu pakre oose ekaant mein le jaake bola “ssshh tum saare kiye karaye pe paani fhair doge asal mein mahi ko bhoot prêt mein kuch zyada yakeen hai tum aisi baatein mat bolo warna darr ke maarein wohh yahan rehne se qatrayegi aur fhir sab bekaar tum pls aisi waisi koi baat nahi bolnaa ooske saamne”………hafeez ne charles ke aadmi ko samjhaate huye bola aadmi ne theek waisa hi paalan kiya

Din jaldi dhalne ko hone lagaa….raj mahal mein ghuste hi mahi ko azib si mehek si lagii..hafeez bhi chupchaap mahi ki or dekhte huye mahal ko ghurrne lagaa…”waahh jitna bahar se khandar hai andar se ootna shaandar’….hafeez ne muskurayaa…
“ji sir asal mein wahan raja ka kamra tha aur ye oonka living room aap dekh rahe hai ye bare bare tasveerein ye sab raja ki hi pasand ki cheez thi ye nagan murtiya ye mombattiyaa sabkuchhh khair aap logo ko zyada pareshaani nahi hongii hamara naukar subah ki chaay se leke andhere tak aapka kaam karega”……..Charles ke aadmi ne abhi kaha hi tha ki mahi ne gambhirta se jo sawaal chedha dono ki muskurahat ruk si gayi

Mahi – kyu andhera hone ke baad? Wohh yahan ruk nahi sakte itni bari mahal toh hai
Charles agent – nahi mam wohh asal me..innn yahan ke vasiyo ko yahan rehne ki izzazat nahi haiii maine kaafi koshish kit hi ki aap logo ke liye ruk jaaye but oonlogo ne nahi maana
Mahi – aakhir aisi kya wajah hai ? jo koi yahan rehna nahi chahta
Charles agent – umm wo..hhh actually
Hafeez – arre kya mahii tum bhi kya sawaal leke baith gayiii abhi humhe yahann sirf 6 mahine guzaarne hai kaun si puri zindagi yahi ka ho jaana hai dekho waise bhi is castle ko todh diya jaayegaa khair chodho in baton ko yahan ke log toh paagal hai khair hmm tumne bataya nahi hamare rehne ka bandobas
Charles agent – ohh ha..haan ji sirr asal mein yahan abhi bhi raj mahal ke sabhi saaman mazud haii thodhi saaf safaai abhi karaa di gayi thi aap wahan upar ke waale kamre mein reh sakte hai
Hafeez – theek hai chalo mahi

Charles ke agent ne mahi ke chehre pe jab sawaalat ke ghere dekhe tohh who ek pal ke liye mahal se bahar nikal gayaa….kamre mein dono baithe cheezo ko dekh rahe theyyy shahi bistar jo ab bhi theek thaa jise saf kar diya gaya tha aas paas ki cheezein bhi saaf thi jaise purani murtiyaa tasveereinnn….mahi ne bag se kapre nikaalna shuru kar diya hafeez chupchaap kamre ko gaur karta hua khidhki se bahar jhaankne lagaa

Charo or ghanaa andhere ke saaya padhne lagaa dur dur tak jungle aur hari ghani waadiya aur dur pe kaali pahadhiii…andhera hote hote puri waadiyaa sannate aur khaamoshi mein dub si gayi….hafeez ne khidki lagaya aur bistar par baithke mahi ko pyaar se dekhaa…mahi kapre nikaal rahi thi achanak ooske haatho mein bismillah ka locket dekh…hafeez ekpal chaunk utha

Hafeez – mahi ye kya hai ?
Mahi – meri friend Hindustan gayi thi oosne kuch cheezein laayi thi oos mein se maine ye tohfa tumhare liye le liya
Hafeez – mahi dekho mujhe in sab cheezo pe yakeen nahi hai and don’t tell me ki main ye pehenne waala hoo pls ise waapis rakh do main ise nahi pehnunga
Mahi – tum kis baat se khuda se naraaz ho hafeez har koi yahan tak ye bahari log bhi khuda pe atut yakeen karte hai
Hafeez – mere liye koi khuda nahii jisne mujhe kabhi sahara nahi diyaa kabhi apno ka sukh nahi diya oose main kyu maanu kya mila aajtak mujhe ?
Mahi – dekho ek baar yakeen karke dekho tumhein yakeen kyu nahi main toh yakeen karti hoo aaj wishwas pe hi duniya kaayam hai jo khuda ka sath chodh deta hai ooski khuda bhi madad karna chodh deta hai aaj jo kuch bhi ho is khuda ki badaulat allah ne hi toh tumhein aur mujhe milaaya
Hafeez – oh c’mon mahi mere mood ko spoil mat karo bhoot prêt allah ye upari cheezein upar tak theek hai filmom mein acchi lagti hai dekho main yahan kaam ke purpose mein aaya hoo mujhe kaam kar lene do main nahi chahta khaamokaah baat ka batanagdh bane aur khushi mann se jo aaye hai who sab zaaya chali jaaye so pls ye sab baatein mujhe mat bataya karo main jaisa hook hush hoo aur main sirf tumhein hi manta hoo sirf tumhein mahii mahii

Mahi gusse se bahar nikal gayi oose behad afsos tha ki hafeez ekdum bhi bhagwan pe yakeen nahi karta tha…lekin mahi ko atut wishwas tha hafeez ye bhi janta tha ki mahi in upari cheezo ko leke kaafi tark karti rehti hai oose yakeen hone mein waqt nahi lagta aur agar haveli ki baat bhi oose pata chalti toh who ek pal ke liye bhi na khud rehti aur na hafeez ko rehne deti..par hafeez oose in sab cheezo pe toh yakeen hi nahi tha wohh toh bas apne contract ko bachaane ke chakkar mein tha

Hafeez ne kaafi awaaz lagayiii lekin tabtalak mahi nikal chuki thi…oose samajh aa gaya mahi ka mood kharab ho chukka hai wohh bas afsos mein reh gayaa…charles ka agent kab ka jaa chukka tha.naukar khaana waana banake pehle se hi shaam ko jaa chukka tha…ab is mahal mein hafeez aur mahi ke alawa koi nahi tha….
“sau saal se band hai mahal lekin dekhke lagta hai jaise ab bhi yahan koi rehta ho”….mahi ne apne baazuo pe haath phairte huye kahaa

Achankk ho ho karti hawaa se ekpal ke liye mahi sihar gayii raat ke 8 baj chuke they mahal ke andar bas mombattiya jal rahi thi..mahi mahal ke chatt pe tehelte huye rang birange oon tute sheesho ko dekh rahi thi….khandar jaise hi mahal mein lagta tha jaise ab hi koi rehta ho….achanakk se mahii mahal se bahar ki or dekhne lagii…..hauuu hauuu karte siyaar ki rone ki awaaz se mahi ek pal ke liye kaanp gayiii hafeez ne bataya tha ki piche ki or jungle shuru hota hai ek waqt yahan shikaari maharaja shikaar ke liye jaata tha

Mahi mombatti liye dheere dheere sidiyo se niche utariii…oosne ek do baar dheemein se hafeez ko bulaana bhi chaha…lekin hafeez ki awaaz na paakar wohh bas sidiyo se kamre ki taraf jaane lagi achanakk se khatt se sidi pe kuch awaaz aayi…mahi ne ek baar piche mudhke dekhaa Ghana andhera koi nahi mahi mann ka wehem samjhke niche utarne lagii..is baar kisi ke kuhurne ki awaaz maano jaise dard mein koi gale se awaaz nikaal raha ho
 
Love is life
2,995
1,682
143
Update 5

Mahi ne dheere dheere mombatii ki roshni mein sidiyo se niche ulte jhaanke dekhaa…koi nahiii awaaz bhi band si ho gayiii ekdum se jaise mahi muddhiii maahi ka pura jism jaise kaanp sa gaaya….andhere mein koi shaks kharaa tha…sidiyo ke theek beecho beech oose dekhke hi lag raha tha ki wohh shakss ki nigaahein sidhe mahi pe hi thi wohh ektak andhere mein hi mahi ko ghur rraha ha…mahi dheere dheere kaanpte huuye niche aane lagii momabtii ki roshni mein who os saaye ki or dekhne lagi par ye saaya gaayab nahi ho raha tha balki roshni mein dikhaayi dene lagaa…..mahi tharr tharr kaanpne lagi hatheli mein rakhii mombattii ki luau phadhpadhaane lagii kisi bhi pal mahi cheekhne waali thiii

Lekin achanakkk oos kaali saaye pe nazar padhke jab roshni se dekhaa toh mahi ek pal ke liye thandi saans kheenchte huye khud pe hassne lagi….maharaja ki murati ye wohi maharaja tha jo is raj mahal ka khooni shaitan ka pujaari tha…mahi ne oos murati ki or dekha kad mein kareeb 6ft lamba ekdum diwaar ke kinaarein kharaa tha ooske poshakh dekhke hi lag raha tha ki ye maharaj hi hai…mahi muskurake sidiyo se niche utarte huye kamre ki taraf chali gayiii ek pal ke liye mahi ko aisa lagaa aise koi oose ghurr raha ho

Mahi ne jaise piche mudhke dekhaa toh andhera aur paas rakhi maharaja ki murati ke alawa kuch nahi tha…mahi chupchaap muskurake aage badh gayi oose mann ka wehem laga..achanak oos murati ka sir ek pal ke liye krr krr awaaz karta huaa daaye or mudh gaya…maano jaise mahi ko jaate huye wohh dekh raha tha….

Hafeez kamre mein chupchaap shahi chair pe baithaa cigarette ko lightr se jalaye dhuaa chodh raha tha….achanakk mahi ko kamre mein mazud dekh ek pal ke liye hafeez uthke bramde ki or chala gaya bahar ho ho karti hawaa se hafeez sihar utha lekin mahi ko dukh mein dekh wohh oose nazarein nahi milaa paa rhaa tha…cigarette ka kash leta huaa baar baar lighter ko jalate bhujate huye hafeez se ab chup raha na gaya oosne dheere se cigarette ko hawaa mein faikhaa..aur darwaja lagata hua andar aayaa

Hafeez – I am sorry mahiii mujhe oos waqt tumse rude baat nahi karna chahiye tha
Mahi – nahii tumhein maanfi nahi maangni chahiye galti merit hi maine tumhein bematlab mein force kiyaa I know ki tum yakeen na karte ho par mere liye ye pehen toh sakte ho
Hafeez – mahi main tumhein kaise samjhaauu I meannn khairr theek hai do

Hafeez ne oos locket ko haath mein leke oose ek baar dekhaa…mahi muskurakae ekdum se hafeez ke gale lag gayi..”I am so happy”….mahi ne muskurake hafeez ke kaan mein kaha…”me too jaan”….hafeez ne mahi ko khud pe pyaar karta huaa dekh muskurayaa

Mahi – main niche jaa rahi hoo tum aa jaana khaana thanda ho jaayega
Hafeez – haan waise bhi yahan andhera jaldi ho jata hai jaldi khaa pee lo fhir kaam bhi shruu karna hai mujhe akele tum jao main aata hoo
Mahi – ok….itna kehte huye mahi niche chali gayi

Hafeez bismillah ke locket ko dekhte huye afsos sa munh banake oose daraaz mein rakhke kamre se bahar chala gayaa…oosne sirf mahi ka dil rakhne ke liye ye baat kahin thi..jald hi table pe baithke mahi aur hafeez ne ekdusre ki or muskurayaa…mahi hafeez ke gale mein gaur karne lagii lekin oose hafeez ke nightsuit pehne gale ke paas kuch nahi dikhaa….mahi jald hi chup hoke khaana khaane lagi…lekin fhir ooske chehre pe muskaan aayi jab hafeez ke gale pe ek chamakdaar locket ko dekhaa hafeez ne baton ka maan rakh liya tha

Hauuu hauuu karte siyaar ke rone se mahi kuch pal ke liye khaana chodhkar bahar ki or dekhne lagi…jhingur ki awaaz pure mahal mein ekdum andhera aur sannata…hafeez ne dusra niwala liya hi tha ki mahi ko gambhir dekhke muskuraaya “mahi khaana thanda ho jaayega kya dekh rahi ho andhere mein”

“tumne wohh awaazein suni”…..mahi ne muskurake bola
“hahaha jungle hai gaadhi ghodhey ki awaaz thodhi na aayegi yahan bahut se jungle jaanwar hai kaam khatam hone do fhir thodha wahan bhi ghumenge”….hafeez ne muskurake bola
“Nahi nahii mainn g..har meinn theek hoo”….itna kehke mahi aur hafeez dono muskurane lage

Chand ekdum saaf dikh raha tha…mahal pura sannate mein bahra hua tha…mahi ne ek baar hafeez ki or dekha jo chadhar dhakeyy aankhen mundeinn soya huaa tha…mahi chupchaap bahar ki or dekhne lagii khidhki se bahar charo or behad sannataa bas reh reh ke jungle se janwaro ki awaazein aa rahi thi kabhi hawaa se hilte paid ke theniyo ki awaaz is sarad raat mein aankho mein nahi thi mahi ke…mahi ghari ki or dekhne lagi tik tok tik tok…pura mahall ekdum shaant aur andhere mein bas niche ke living area mein do mombatti mez pe jal rahi thi aur upar ke mahi aur hafeez ke kamre mein ek bari si mombatii jiski roshni se purak amra jagmagaa rhaa tha

Khach khachh khachh…mahi ko azib si awaaz sunaaii di…oosne uthke ek baar charo or dekha fhir khidhki se bahar jhaanka..khach khachh khachh..maano jaise koi zameen kodh raha ho…mahi gaur se bahar dekhne lagii charo or gehra sannata chaaya huaa tha…mahi ne ek baar hafeez ko jagana chaha..lekin wohh gehri neend mein soya hua tha…bina dairi kiye mahi ne mombatii uthaayi aur darwaje se bahar nikali…chrr churr karta huaa darwaaje ki awaaz nikali..mahi ne ekbaar bahar jhaanka charo or Ghana andhera oon bhayanak tasveero ko dekh mahi thodhi sehem uthi andhere bhi kitne darawane se lagte hai naa jaane kaise shouk they is maharaja ke lekin mahi raaz se ab bhi bekhabar thi

Mahi ne saamne ki or dekhaa do mombattiya jal rahi thi…mahi dheere dheere sidiyo se niche utarne lagii….niche utarne ke baad oosne ek baar charo or dekhaa gehraa sannata chaaya huaa tha…koi bhi nahi tha…achanakk hawaa ka jhonka jism ko chute hi mahi sihar uthke oos andhere bhare kamre ki or dekhne lagii….thadh thadhh..mahi dheere dheere aage jaane lagiii aur dheere dheere…koi awaaz aa rahi thiiii momabtti haath mein

Mahi ek bare ghar ki beti hone ke sath sath apni taalim mein bhi aage thi..oosne dhere dhere kalma padhna shuru kar diyaa..ooske dil ki deshat badhne lagi wohh oos andhere waale kamre ke theek paas aakar kharii huyi oosne ek baar kaanpte huye mombattiii se dekhhaa oose thandi hawaa mehsus huyii ooska badan sihar uthaa oosne himmat jutate huye teen sidi utarte hi ooosne dheere se jaise darwaja khola
 
Love is life
2,995
1,682
143
Update 6

Chrr chrrr karta huaa darwaja ek teekhi awaaz ke sath khull gayaa….mahi dheere dheere kamre ke andar roshni se dekhne lagiii andar bhi bahar ki tarah tasveerein tute lamp har taraf dhool aur mittiii khandar jaisi haalat thi…mahi ko wohh awaaz fhir sunaaii di is baar ye awaaz ekdum theek saaf sunaai di aur behad nazdeek mahi ne jaise hi daayi or dekha halki roshni aa rahi thiii mahii ne mombatii se jab thodha paas jaake dekhaa tohh khidki thi tuti khidki jo khul rahi thi band ho rahi thi hawaa se…mahi ne jaise hi khidki ko kasske lagaya toh khidki takraana band ho gayi abhi mahi do kadam hi piche hati thi ki thadh thadhh se wohh kaanp si gayii oosne ek baar zameen ki or mombatii dikhaaii

Roshni mein oose dikhaaa ki ye zameen nahi thii ye ek khokla darwaaja jaisa kuch tha…jald hi roshni mein oos kaale lohe ke darwaaje ke idhar udhar oose zanjeer dikhaayii di jispe mota taala laga hua tha..mahi ek pal ke bhi wahan na tehrii aur sidhe daudhte huye oos kamre se bahar aayi…aur fhir sidiyo se apne kamre pe kamre pe aake oosne lagbhag gehri saans li jism pasina pasina ho gaya tha…oosne jo kuch dair pehle dekhaa oose yakeen nahi ho raha tha farsh pe bana ek lohe ka darwaja jise saqt ise zanjeer se band kiya gaya tha…mahi ye baat hafeez ko batana chahti thi lekin wohh itni sehem gayi thi ki oos raat oosne hafeez ko bina kuch bataye chadar odhke sona munasib samjha

Tik tik tik..ghari ki suyiii 2 baje ho gayii mahi chupchaap aankhe khole bas laiti oos kamre ko yaad kar rahi thi…mahi ko is mahal mein neend nahi aa rahi thiii oosne kaafi karwat badliii..lekin neend kahan? Ooska dil kiya ek baar hafeez ko sab sacchai bata de lekin kya batana theek rahega? Oos rahasya ko jane bagair mahi ki neend jaise udh gayi thi..achanakkk thak thak thak karti ghodho ki awaaz…mahi ekdum se chaunkke uth gayii

Oosne charo or dekhaa..fhir oosne ek pal mein hi chadar hatake fhir khidhki se bahar jhaanka..ye awaaz bahar se aa rahi thi ghodho ke kadmo ki awaaz jaise maano daudhte huye kahin se aa rahi thii aur bhi paas aate hi awaaz ekdum saaf sunaai de rhai thi iska matlabb kya in junnglo mein ghodhey? Ye baat kuch hazam nahi huyii hafeez khud kaha tha aas paas jungli janwaar aur wyawan jungle ke alawa kuch bhi nahi hai mahi ne jaise hi khidhki se mahal ke pichwaade ki or jhaanka toh ooska pura jism jaise barf ki tarah thanda hogaya mahi ne dekha

Thak thak karte huye kuch ghodho pe baithey log mahal ke theek paas aake khare ho gaye..aur sab ke sab kaale libaaz mein bas oonki nigaahon ko maahi dekh sakti thii oonk iaankhen dekhkar hi saaf lag raha tha kitne kathore mahi chupchaap chup chup ke oon logoko dekh rahi thii wohh log eke k karke ghodhe se utare…aur fhir dheere dheere raj mahall ki or aane lage mahi ka pura jism kaanpne lagaa ye..yee kaisee jaise raja rajwade ke sainik bilkul theek waisi poshakkk sab bari bari juto ki kadmo ke sath mahal ke taraf aane lage….mahi ne jald hi daudhte huye hafeez ko ek jhatke mein jhinjodhke uthaaya

Mahi : haafffeezzzz wo..hhhh utth..o haffeezzz utthoo
Hafeez : uff kyaa huaa itni raat gaye kyu uthaa rahi ho pls sone do
Mahi : n..nshiii plss ek baar utho kuchhh log ghodhey par se utarke mahal ke andarr aa rahe haiiii mujhhe darrr lag raah ahi plss uthoo naaa
Hafeez : ufff uff rukoo ek minn narre kya huaa

Hafeez ne uthte hi jab bhauklaayi dar isehmi mahi ki or dekhaa toh ek pal ke liye wohh bhi gambhir bhaav se uth baitha..”arre hua kya?”…..”mm..mainnee kuch logo ko apne mahal ke kareeb aate dekhaa”….”arre kaunn log bata toh sahi”……mahi ne bina kuch kahein baazu pakre hafeez ko bahar ki or dekhne ko bola…hafeez ne jaise ahar ki or dekhaa naa koii bhi nahii yahan kisi ghodhe ki shabdo ka awaaz bhi nahi

Hafeez ekdum se daudhaa….oosne darwaaja khola..mahi chillayiii nahiii plss niche mat utaro darwaja mat kholo..wohh bahut saare hai..lekin hafeez kahan sunne wala tha? Haath mein ek torchhh jald hi darwaaje se bahar nikale jaise hi thand aur kohre mein charo or dekhaa toh ek gehra sannta…hafeez daudhta huaa mahal ki dusri or dekhne lagaa
Mahi bhi daudte huye hafeez ke paas aayi..hafeez ne mahi ki or lagbhag daantte huye bola
“kyaa mahiii dekhoo dur durr tak bhi koi nahi tumne kahan ghodha ? kahan hai ghodhaa? Arre yahan toh ghodho ke pao ke nishaan bhi nahii kaun log they ab kuch batao bhi?”…..hafeez ne mahi ki or dekha
“kk..mainne dekhaatha…waahann p..e wo..hh bare bare ghodho pe sawaar kuchh sainik jaise kaale libaaz odhheyyy idhar hi kahre huye aur pata nahi kahan sab gaayab ho gaye?”……mahi ne ek pal ke liye apne munh pe haat hrakha
Hafeez – dekh..dekho mahiii dekhoo shayad tumhara wehem hogaa uhh itne dur jagah mein kaun aayegaa ye Hindustan toh nahi jahan main kahun ki dacoit aayegaa hahahaa
Mahi : to..hhh waah..a arre mainen khud inhi aankho se dekha bare kaale libaaz mein kuch ghodhe pe idhar utare aur lagbhag is mahal ke andar aane ki koshish
Hafeez – dekho mahi raat bahut ho chuki hai tumne meri neend bhi kharab kar di ab aur kya chhaiye chalo chalo andarr tumne zarur koi sapna dekha hogaa zara niche dekho arre dekho toh shaiii koi pao ka nishaan dekho hamare pao ke nishaan ke alawa yahan koi ghodhaa aadmi kisi ka pao ka nishaan hai hi nahii toh fhir tum kaise keh sakti ho?
Mahi : yaaken maano maine dekhaa thaa
Hafeez – chalo koi nahi koi nahiii chaloo

Hafeez mahi ko pakre waapis mahal ke andar le aaya aur fhir kamre meinn…”ho sakta hai tumne bura sapna dekha hogaa waise bhi naya jagah hai thodha nayapan lagega hi dheere dhere sab theek ho jaayega aur hum yahann bas six months rahenge aur ooske baad fhir mera kaam khatam ye jagah todhke accha resort banega fhir aake tum yahan se jaanan ahi chaogii hahaha”….hafeez mahi ka dil behlaata huaa ooske pasine ko ponchke oose cadhar odhaa chukaa tha

Mahi darri sehemiii puri raat hafeez se lipate soyi rahi lekin neend kahan wohh bas aankhen mundein thi oosne sapna nahi haqeeqat dekha tha…mahii ye tak hafeez ko bataa bhul gayi ki oosne niche ke kamre mein ek gupt darwaja dekhaa tha…par darr se oosne kuch oos raat bataya nahii aur jald hi dono so gaye

Subah ki kiran haveli pe pariii naukar hafeez ke cup mein chaai daal raha tha…mahi gumsum baithi thi..hafeez chashme ko thee kkare akhbaar padh raha tha..achanak ooski nazar mahi pe parii..mahi gumsum chupchaap baithi huyi thi kal raat ke waaqye se muskaan ooske chehre se jaise mit gayi thi
 
Love is life
2,995
1,682
143
Update 7

Hafeez – uff ho maahi fhir wohi baat kab samjhogi who sirf ek wehem tha
Mahi – ho sakta hai shayad jo kal raat maine dekhaa wohh wehem hi ho who ghodho pe sawaar log kaale libaaz sab dimaag ka bhram ho
Hafeez – relax agar tum aise mood kharab karogi toh mera bhi mood kharab pata hai kitne paise lage hai is contract ko leke chalo chaiii piyoo

Naukar jo chaai deke bagaan ki taraf jaa raha tha oosne ek baar ghurke mahi ki baatein suni…”arre haan main toh batana bhul gayii maine is haveli ke theek niche waale kamre mein ek gupt darwaaj dekha hai”….hafeez ne chaii rakhke mahi ko ektak dekha fhir gambhirta se chashma ko theek arta hua sochne laga
“tumne kamre ke theek niche uff ho ab ye kaun si nayi baat hai kal fhir tumne rat ko sapna dekha hoga”…hafeez ne chaii ki chuski leke muskuraya
“nahi sachh”…mahi ke kehte hi hafeez uthaa

“Toh chalo fhir zara dekhenn tohh aakhir is mahal mein aur kya kya hai?”….hafeez muskurake mahi ke sath mahal ki taraf jaane lagaa…naukar ekdum thithak ke bas dono ko mahal ke andar jaate huye sehemi nigaaho se dekh raha tha naa jaane ooske dil mein kaun sa aisa dehshat tha jo ooski aankho mein aa gayaa

Hafeez ne jhat se oos purane darwaaje ko khola darwaja ke andar puri tarah se mitti dhool aur charo or khandar jaisa mahoul tha…hafeez bari muskil se andar aayaa..andar itna andhera tha ki bas andar ke khidki se aa rahi thodhi si roshni ghar mein ujaala de rahi thi….hafeez jaise andar aaya sath mein mahi bhi thi charo or diwaare phat si gayi thi…ird ke cheezein tute huye they dhool se nahaye huye hafeez ki nazar jab achanak se oos miti mein dabe farsh pe bane lohe jaise cheez pe parii…toh oosne do teen pao se ek jhatke mein lohe ko thokha…dhadh dhadh…ye zameen thoss nahi thi…aur lohe ki shabd pure kamre aur zameen ke andar bhi gunz rahi thi…hafeez thodha hairan huaa oosne chashme ko utaara aur dheere dheere mitti ko hatate huye oos zanjeer ki or dekhne laga

“yahiii hai wohh lohe ka darwaja wohh dekho zanjeer iske andar zarur kuch hai”……Mahi ne lagbhag bhauklate huye bola
“hmmm dekhke toh lag hi raha haiii ho bhi kyu na itne saalo se band ye jaagh thi aur ye pital ka taala bhii dekhke hi lag raha haii ki kaafi purana haii iski chaabi bhi toh nahii hai khandar ke moyne mein ye toh pata nahi chal paaya”……hafeez lagbhag sochta hua badhbadhaaya

“Ek kaam karte hai mark”….jald hi naukar mark kamre mein hafeez ke bulaane pe aaya who bas kamre ke darwaaje ke paas khara kaanp raha tha…ek baar mahi ne oose dekha aur fhir hairaani se oose ghurrne lagi..hafeez chehre ko saqt kiye uth khara hua
“kyat um jaante ho ? ki is raj mahal mein koi khufiya darwaja bhi tha”…..Hafeez ne wahan ke waasi aur apne naye naukar mark se ye baat kahi
“j..jiii nahiii sahe..bb”…..Mark ne naaa mein uttar diya
“theek hai ek kulhadi laao main abhi is zanjeer ko todhke iske andar dekhunga aakhir hai kya? mujhe toh lagta hai barso pehle raja ne khaajana ya fhir koi khufiya raasta banayaa hoga chupne ke liye yahan pe”……Hafeez ne jaise ye baatein kahi mark aur kaanpne laga
“nn…nahii saahebb ise mat khodiye hum yahan ke kisi bhi ek cheez ko nahi chuye hai kabhi….ise agar aapne khola tohh yakeenan kuch ho jaayega”….Mark ki baat sunke mahi bhi dehshat mein dub si gayi
“ohh shutt up chune se kya ho jaayega? Aur waise bhi sarkaar ka ab is zameen pe pura haq hai aakhir oonhein bhi toh in raaz ke baarien mein pata chale jao kulhadi lao aur Todho is zanjeer ko”….Hafeez ke kehane pe mark darr se bidhbidhaane lagaa
“nn..nahiii n..nahii mainn nahi kholungaa mainn nahiii todhungaa m.main jaa raha hoo saaheb plsss mujhhhe jaane dijiye”……mark ekdum bhaukla gaya is baar mahi sehem uthi
“accha theekk haii theek haii mat kholo main hi todhta hoo jao jaldi se kulhadi laao”…..hafeez ke kehane pe kayi baar mark ne rokna chaha mahi ko bhi ek pal darr laga ki lekin hafeez apni baat pe ada raha


Dhadhsss dhadhsss...dhadhsss zanjeer pe zor zor se maarte oos nukile kuladi ke waar se zanjeer aur lohe ka darwaja kaanp jaata aur oosi ke sath pure mahal mein awaaz gunzti…hafeez mazbuti se chain ko maarein jar aha tha…dhadhsss dhadhsss dhadhhss…har ek awaaz se mahi aur mark dono kaanp rahe they….zanjeer lagbhag tutne ke kagaar pea a gayii..ek aur waaar aur ooske baad khanaak se zanjeer alag ho gayii hafeez ne jhukke zanjeer ko puri tarike se uthaake ek or faikh diyaa fhir oose lohek e darwaaje ke upar bane mote kundi ko dekhne lagaa….hafeez ne jaise haath laganaa chaha achanakkk se ooska phone baj utha…ek pal ke liye mahi kaanp gayiii..hafeez thakke khara hua aur mobile pe charles ka call dekhke oosse baat karne laga

Hafeez ne charles ko mahal ke is khufiya darwaja ke baarein mein jab bataya toh charles bhi hairaan ho utha..”ji sirr meri wife kal raat ko yahan aayi toh osne koi shabd sunaa baad mien oose khidki lagate waqt ye lohe ka darwaja dikhaa jiii sirr okk”……hafeez ne phone cut karte huye mahi ki or muskurak dekha

Hafeez : sir ne manaa kiya hai ki koi bh iaisi cheez ko kholu na jisse sarkaari lafdhe bhare ye kaam analyst ka hai charles khud yahan aake moyna karenge aur ooske baad hi kuch ho sakta hai khairr abhi toh is kundi ko lage hi rehne do ab charles aaye fhir dekhnge aakhir iske andar hai kya?

Mahi ekdum chupchaap oos lohe ke darwaaje ki or dekh rahithi…hafeez ooske kandhe pe haath rakhke oose upar le aayaa…kal raat waise hi neend udh chuki thi ek toh wohh kaale libaas mein dikh rahe sainik maano jaise aatma they aur ab ye khufiya darwaja ka raaz…mark lekin sehema huaa tha….wohh oos din badhbadhata huaa mahi aur hafeez ki baton ko sunke jald hi khaana banake mahal se chala gaya

Raat kaafi ho chuki thi...hafeez lamp ki roshni mein table pe kaagz pe sketch tayyar kar raha tha….hotel palace ka..oosne pehle mahal ke nakshe ko bare baariqi se dekha aur fhir sochte huye drawing banane lagaa pencil ki awaaz se hall mein khaamoshi se nikal raha tha..upar apne kamre mein mahi ek novel padh rahi thi ooska mann aaj sone ko nahi lag raha tha…kuch hi dair mein hafeez ki aankh lag gayii aur wohh chashma utaarke wohi table pe sar rakhke so gayaa….lamp ki roshni se pura hall aadhi andhere mein jagmaga raha tha….tik tik tik raat ke 12 se upar ghari ki suyi jaachuki thi….achanakkk hafeez ke chehre pe maano jaise koi thandi hawaa ka jhonkaa laga ..hafeez ekdum se hawaa se siharke uth gayaa…osne ek baar char oor dekhaa
“kaun?”….hafeez ne chashma pehente huye bola…pure hall mein sirf khaamoshi chaayi thi khidhki bhi band theyyy hafeez ko mehsus huaa jaise hawa mahal ke andar aayi ho..hafeez ne ek baar khidkiyo ki or dekha aur fhir lamp ko liye ek baar sidiyo ki or dekha….koi nahi tha sirf maharaja ki murati thi diwaar pe lagi paintings

Hafeez lamp liye ghar se bahar nikal gayaa cigarette peene ka jo shouk mahi ne bahut baa mana kiya par hafeez suntan kaha tha…oosne lagbhag apni lightr jalayi aur ek cigarette sulgaake ooska kassh lene lagaa….achanak koi cheez jhaadhiyo se nikalte huye hafeez ke kareeb aane lagii….hafeez apne mein malin cigarette piye jaa raha tha…achanakkk hafeez ko laga jaise koi tez kadmo se ooske kareeb badh raha hai hafeezn e turant paas rkahi lighter ko jalaa daala…aur achaanak ek zor ka hawaa se hafeez ek pal ek liye sehem gaya hawaa ki awaaz ke sath wohh kadmo ki awaaz wohh sayaa naa jaane kahan mil gaya

“kaun haiii? Kaunn hai?”….hafeez ne charo or dekhaa…osoke munh se cigarette kab ka niche girke bujh gaya tha hafeez ko apne bewakufi pe hassi aayii fhir lighter jalaye…wohh waapis mahal ke andar chalaa gaya ooska chamakta locket jab jhaadii mein se dekh rahe oon aankho pe paraa toh wohh saaya grrrate huye andhere mein gaayab ho gayaa

Hafeez jaise table ke kareeb aaya…ekdum hairana hoke wohh wohi thithak gaya…table pe khud banayi jo sketchhh oospe laal syaahi giri huyii thi…..hafeez ek pal ko chuta aur kaagaz se wohh syaahi saaf karne lagaa kaagaz ko jhaadhne laga lekin drawing bekaar ho chuki thi oospe dhabbe padh gaye they hafeez ko behad gussa aayaa mahi ko hafeez ki awaaz sunke hairani huyi who daudhti huyi lamp liye sidiyo se niche utari saamne hafeez ko sir pe haath rakhke baitha hua paaya

“k..kya huaa?”….mahi ne sawaal kiya
“sab bekaar ho gaya pata nahii kaisee laal syaahi gir gayii”….hafeez ne khud ke chehre pe haath marte huye kaha
“lekin tum toh laal syaahi kabhi use nahi karte”….ek pal ko hafeez chaunkke mahi ki or dekhne laga yakeenan ooske paas toh koi laal syaahi nahi hai
Hafeez ne fhirse oos kaagaz ki or dekha oospe ab bhi laal dhabbe pare huye theyyy mahi bhi munh pe haath rakh baithi oosne charo or dekha laal syaai ka koi pot nahi tha ye rang gira kahan se?
“SHITT lekin joo bhi ho mehnat bekaar pehli baat mere sath aisa huaa hai”…hafeez ko gussaa aaya apne upar
“main tumehin pehle hi bol rahi thiii ye mahall kuch theek nahi haii kabhi mujhe jameen khodne ki kabhi oon sainiko ko dekhne kit oh kabhii ye kaagaz ka yun kharab ho jaana ye mehez itefaq nahi hai”….hafeez lagbhag gusse se mahi ki or dehne laga

“toh tumhare kehnae ka maltab hai main ye mahal chodhke chalaa jau hai naa taaki jo contract mujhe mila oospe khara na utara saku khair jaane do main ja aha hoo sone ab charles aayenge oonka khaak presentation dikhaa paungaa chalo yahan ab baithke maayus hone se accha hai aage ke plans karu”….hafeez gusse sidiyo se upar chala gaya mahi ekdum chupchaap oosk aagaz ko dekhte huey khud bhi upar chali gayi
 
Love is life
2,995
1,682
143
Update 8



Achanakkk ho ho karti hawaa se wohh kaagaz ek pal meinn hi udhtii huyi oos andhere saaye mein na jaane kahan gum ho gayii raat kareeb 3 baj chukka tha…achanak se fhir mahi ki neend tutii is baar wohhii shabd khach khachh khachh….jaise koi mitti kodh raha ho…mahi dheere se bistar uthke hafeez ki or dekhte huye kamre se bahar nikali momabttii hawaa se bujh chuki thi…achanakkk oose aisa jhatka lagaa ki ek pal ke liye kaleja munh mein aa jaaye

Dhadhh dhadhhh ye awaaz itni zordaar thi maano jaise koi darwaja peet raah ho..fhir se wohii awaaz dhadhh dhadhhh..mahi ekdum chaunkke thodhi si awaaz mein boli haffeez…awaaz na apaake samajh baithi ki hafeez gehri neend mein duba hai…behrehaal mahi khud hi sidiyo se niche utarte huye kaanpti laaltain ko haatho mein liye niche ki or gayii..dhadh dhadhh dhadhhh…ye awaaz theek oosi kamre se aa rahi thiii mahi ka pura jism kaanp raha tha..mahi dheere dheere sidiyo se utarte hi oos disha ki or gayi…jaise jaise kamre ke nazdeek jaa rahi thi waise waise awaaz aur bhi saaf sunaai de rahi thiii achanakkk kse koi safed cheez hawaa mein lehrati huyi sidhe mahi ke chehre se takraayi mahi cheekh uthi…aahhh lekin jaise hi kaagaz pe nazar paraa ooski aankeh teher si gayii pure kaagaz pe laal laal nishaan mein shaitannn jaisa chehra banaa huaa tha maano jaise kisi ne purek aagaz ko bedardi se aisa banaya ho…mahi sehem uthi achanakk fhir dhadh dhadhhh awaaz ke saf sunte hi

Mahi ka kaleja kaanp gayaa.mahi dheere dheere darwaaje ki or badhii…chr chrr karta hua darwaja adha khula tha aura b pura khul gayaa jaise hi darwaja khula andhere mein wohh shabd sunkar mahiii sehem uthi….dhadh dhadhhh is baar pura farsh kaanpein jaa raha tha…mahiii ekdum sehemte huye kalma padhne lagii…haath se mombatti chuttne ko ho gaya mahi ne bina soche samjhee farsh pe baithke mazbuti se momabtti ki roshni mein kamre ke andar jhaanka…dhadhh dhadhhh ye wohi lohe ka darwaja tha jo baar bar upar uthta fhir niche ho jata maano jaise ko idarwaaje ko niche se dhakka de raha hai kholne ke par kundi ke saqti se khul nahi pa rahi achanakk mahiii ko koi sbabd sunaa idene laga…ye awaaz zameen ke niche se aa rahi thi

Mahi ne dheere dheere apna kaan zameen pe lagayaa…achanakk se oose koi mantra padhte huye mehsus huaa band darwaaje ke niche farsh ke bheetar koi mantra padh raha tha ooske sath maano jaise ghann ghann ki shabdd manao jaise ek nahi kayi saare padh rahe ho…fhir dabi awaaz kisi ke aahh aah chilane ki…achanakk se dhadh dhadhh is baar lohe ka darwaje ko koi zorse peetein jaa raha tha..mahi ekdum sehemete huye darwaaje se dur ho gayii aur darri nigaahon se dawaaje ki or dekhne lagiii

Mahi ne abhi do kadam hi piche kiye they….ki tasveer murtiya sab hilane lagiii who awaaz mahi ke kaan mein gunzne lagaa ghannn ghannnn jaisi shabbd ke padhte hi mahi jaise badhawas hone lagiii ooski aankhen band si hone lagiii aankhoke saamne dhuaa sa chaane lagaa….mahi badhawas farsh par girke behosh ho gayi

Subah 10 baje mahi ko hosh aaya…jab hafeez ne sidi ke kareeb mahi ko behosh paaya paas mein khara mark bhi darrke dekh raha tha…mahi ko hafeez kab se jhinjodhke uthaane ki koshish kar raha tha apne chehre ke saamnhe hafeez ka chehra dekh mahi ekdum se sehemte huye hafeez se gale lag gayi
“mahiii mahiiii arre k.kya huaa? Tumm yahannn kaise giri?”….hafeez ne mahi ke baalon ko sehlaaya
“mm..mainnne kallll raat kuch awaazein sunii jaise ko izameen khodh raha hoo wo..whhh ka..mre se.wo..h awaa..zz aa rahii thii wohhh darwaaja koi peet raha tha zameen ke niche mujhe logo ki awaaz sunaai di koi cheekh raha tha koi mantra”…..Mahi bhauklate huye jo byaan kar rahi thi oose bari baarqii se hafeez aur mark sun raha tha mark kaanpein jaa raha tha ooske dil ka darr aur badh gaya tha
“saa..heeb maine aapko kaha tha ye mahal manus hai jo bhi yaha raha tha sab maarein gaye”……Is baar mark ne keh hi diya hafeez gusse se chilla utha
“chupp raho tum meri biwi ko daraa rahe ho bhoot palit kuch nahi hai kahan hai kuch…kaun darawaaj peet raha tha pakka tumhein wehem ho rahah ai”…..Hafeezki baat sn mahi ko gusa aa gaya
“tumhein toh kabhi in sab cheezo pe yakeen toh tha hi nahi main sach keh rahi hoo who awaazein wohhh lohe ke darwaje ko peetne ka shabd zarur kuch hai ooske andar aur mujhe lagta hai in sab ke piche koi gehra raaz hai pls hafeez yahan se chalte hai main yahan nahi reh sakti”……Mahi ne hafeez ko pakadke bola hafeez apna haat hchudhaane laga par bhauklaayi mahi ko kahan samjha sakta

Hafeez – uff ho tumhein kaise samjhauuu yakeenan tumhein sabkuch dikhaa lkein shayad wohh sapnaa ho kya pata tumne zyada soch liyaa ho dekho ye mahal kaafi salo se band hai yahan kaun aaa sakta hai chalo tumhara aaj shaq dur kar hi deta hoo chalo zara dekhe is zameen ke niche aakhir hai kya
Mahi – n..nahii tum kattayii mat jaana ooske andarr mujhe darr lag raha hai
Hafeez – mahi kuch nahi hogaa sssshhh chup ho jaooo

Hafeez ne kisi tarah mahi ko samjhaa bhujaake aaram karwayaa…hafeez ki nigaah jab oos kaagaz pe parii toh oose hairaani huyii wohh kaagaz jo kahrab ho gyaa tha naa jaane kahan gaayab ho gaya tha…hafeez ko kuch samajh na aaa saka…hafeez ne mark ko saqt hidaayat di ki wohh ek bhi shabd bhoot ka mahi ke saamne nahi kahegaa…lekin raaz ko khulte darii nahi lagti..dheere dheere mahi ki halat bigadhne lagi wohh dheere dheere kamzor hone lagiii..din pe din ooska khoon sukne lagaa…kabhi sapne mein badhbadhake cheekh uthiii hafeez is baat se pareshaan tha mahi saaf kehti thi ki kuch kaale libaaz mein





 

Top