The LUNCH BOX STORY (COMPLETED)

STOP SAYING “I WISH” START SAYING “I WILL”
977
330
83
“sir ap jaldi se 8 lakh jama karwa de jis se ap ki Mom ka operation shuro kar de”
Nurse half ghante me teesri bar ye keh ker gayi per wo teeno kuch nahi kar pa rahe the

Apni sab savings aur rishte daro ki madad ke baad bhi sirf 3 lakh he tha in ke paas
Lekin operation shuro karne ke liya abhi bhi 5 lakh ki zarorat thi tabhi 2 ward boy aye aur un ki mama ko le ker Jane lage
“in ko ap kaha le ja rahe ho?”
Teeno bhai behno ko kuch samjh nahi aa rahi thi
Ward boy1: 30 minutes main in KA operation hai in ko operation theater le ja rahe hai
Salman(pehla beta): magar hum ne abhi fees jama nahi karwai operation kesay shuro ho sakta hai?

Wardboy2: in ki fees jama ho gayi hai
3no bhai Behan ek dusre KA muh dekhne lag gye tabhi Behan(Hareem) aage ayi
Hareem: Daikhiye in KA naam Raheela amjad hai in ki fees Abhi jama nahi huwi ap ko koi galti huwi hai

Wardboy1: daikhye in KA naam rahela amjad hai ye kal admit huwi hai...... 30 minute main in KA bypass KA operation hai..... Ab please side per ho jaye doctor sahib gussa kare gye
Phir ward boys in 3no ko side per ker ke Mrs.Raheela ke bed ko operation theater le Jane lage
Mrs.Raheela iss sab se bekhabar bed per behoosh thi
“sister ap ke ward boys ko galti huwi hai hum ab tak apni mother ki fees jama nahi karwa sake hai........ To operation kesay ho sakta hai?”
Sharukh(teesra beta) ne us nurse se kaha jo in ko 3 bar fees KA keh gayi thi

Nurse: paper theek karte huwe) g in ki fees kuch dair pehle jama ho chuki hai....... Ap pareshan na ho
Salman: herani se) per kis ne karwai?
Nurse ne un ko ignore kia aur operation theater ki taraf Jane lagi lekin beech main Hareem aa gayi
Hareem: please bataye kis ne diye paise?

Nurse: daikhye hum sab ko sakhti se mana kia gaya hai....... Ab ap mera raasta chor de

Nurse ne Hareem ko side per kia aur aage barh gayi piche 3no bhai Behan ek dusre ko Daikhne lag gye
Lekin iss waqt ye janne se zada important in ki mother KA operation tha
Fees kis ne di ye to baad main bhi poch sakte the iss LIYE wo operation theater ke bahir khare ho gaye
2 ghante baad ek surgeon muh per mask charha ker bahir aya aur bola
Surgeon: ap ki mother KA operation successful raha aj un ko under observation rakha jaye ga kal un ko private ward main shift kar dia jaye ga
Ye keh ker surgeon aage barh gaya...... Sab ne shukar ada kia kitne din in ki maa ko hospital main rakha gaya inho ne apni puri koshis ker di fees jama karwane wale ka pata lagwane ki
Magar in ko Kuch pata na chala inho ne Mrs.Raheela ko bhi bata diya wo bhi heran thi
Itna bara ehsaan kon ker gaya? Aur saamne bhi nahi aya? Aakhir kon ho sakta hai?
Aj Mrs.Raheela ko discharge ker diya gaya salman hospital ke during jama karwane gaya to pata chala WO bhi pehle de diye gye hai jawab pehle wala
“nahi bata sakte kis ne kiye hai”
Iss ne ja ker Mrs.Raheela ko bataya to sab heran ho gye aakhir kon ker sakta hai

Lekin unho ne apna saman ikhata kia kiu ke unhe pata tha itne dino se pochne per nahi bataya to ab kia bataye gye
Unho ne ja ker saman car main rakha aur Mrs.Raheela ko hospital ke bahir laye Mrs.Raheela ne ek bar hospital ki taraf daikha
Tabhi un ki nazar hospital ke board per gayi jis ko daikh ker wo chonk gayi aur wanhi baith ker Rone lagi Aur apni purani yado main kho gayi


FLASHBACK



Mrs.raheela Amjad shuro se ek ache dil ki malik rahi un ka dil seeshe ki tarha saaf tha
In ke husband ki death ho gayi hai in ke 3 bache the 2 bare bete aur 1 choti beti
Miss raheela ki age iss waqt 38 ke kareeb thi wo ek bohat bare private school main job karti thi
In ki salary bhi achi thi aur in ke pas in ke husband ka banaya ghar tha
Mrs.raheela bohat dino se ek baat note ker rahi thi ke in ki class ka ek Larka (Arman zubair) kuch dino se lunch nahi ker raha tha to brake ke time Mrs.Raheela Arman ke paas gayi
Raheela: Arman ap lunch kiu nahi ker rahe?
Arman: madam mujhe bhook nahi hai
Mrs.raheela Arman ki baat per satisfy to nahi thi but unho ne aage kuch poucha nahi Aur aage chal pari
Mrs.Raheela ne 1 month tak Arman ko note kia aur us kai bar pocha bhi lekin har bar us ka ek he jawab hota
“Madam mujhe bhook nahi hai”
Mrs.Raheela ka us bache ko itni importance dene ki ek aur wajha thi ke us bache ne nursery se le ker ab tak top kia tha
Iss liye Mrs.Raheela ne Faisla kia ke aj wo brake ke waqt Arman se poch ker he rahe gi ke wo lunch kiu nahi karta?
Aur us ke parents ko bhi bula ker poche gi ke kia wo apne bache ko lunch de ker nahi bhejte?

Mrs.Raheela ko lag raha tha ke galti Maa baap ki hai wo apne bache ko lunch de ker he nahi bhejte..... Aur na he paise ke bacha canteen se he Kuch kha le

Ye sab baat Karne ke liye Mrs.Raheela ne brake ki bell ke baad Arman ko kaha
“Meri baat sun ker jana”
Puri class ke bahir Jane ke baad Arman Mrs.Raheela ke paas aa gya Mrs.Raheela ne ek bar Arman ko dhayan se daikha aur phir boli
Mrs.Raheela: Arman beta main ap ko 1.5 month se daikh rahi hu ap lunch nahi karte kiu?

Arman ne phir wohi jawab kaha jo wo 1.5 month se keh raha tha
“Wo madam mujhe bhook nahi hoti”
Mrs.Raheela: beta ye kaise ho sakta hai ap subha 7:00 baje nashta ker ke ate ho 12:30 tak yahan school main parhai kar ke bhi bhook nahi lage? Aur phir ap Academy bhi jaate ho jaha se ap 4:30 Ghar jate ho phir bhi ap ko bhook nahi lagti?.....Jao ja ker apna lunch box lao

Mrs.Raheela ne apna shak door Karne ke liye kaha.......unhe yaqeen tha ke Arman ke paas lunch nahi hai

Arman apni jagha se hila bhi nahi Mrs.Raheela ne kuch dair intezaar kia...... Phir ek thandi aah bhari aur Arman ko ek bar phir daikha
Mrs.Raheela: iss ka MATLAB mera shak sahi tha bulati hu tumhare parents ko itne la-parwah ke apne bache ko lunch de ker bhi nahi bhejte

Mrs.Raheela Arman ki parents ki la-parwahi ki wajha se bohat gussa ho gayi thi........Mrs.Raheela ki baat sun ker Arman ke pairo ke niche se zameen nikal gayi thi

Arman: pareshani se) madam mere paas lunch hai kasam se mere paas lunch hai

Arman jaise Rone lag gya tha aur bohat pareshan ho gya tha.....us ko itna pareshan daikh ker Mrs.Raheela bhi pareshan aur heran ho gayi
Mrs.Raheela: pyar se) acha dikhao Zara lunch box

Mrs.Raheela ke kehte he Arman bhag ker gaya aur apne bag main se lunch box nikal ker le aya
Mrs.Raheela ne lunch box khola to andar Paratha aur achar tha.........Mrs.Raheela ko samjh nahi aa rahi thi agar us ke paas lunch tha to wo karta kiu nahi tha

Mrs.Raheela: bohat pyar se) beta agar ap ke paas lunch hai to ap karte kiu nahi ho?........zada nahi to thora sa kha liya karo
Mrs.Raheela ne bohat pyar se Arman ko samjhaya
Arman: g madam main ab ker lia karo ga........bus ap mere Maa baba ko mat batana

Arman ab roansa sa ho gya tha........Mrs.Raheela ko laga koi baat zaroor hai iss liye unho ne dobara pocha,
Mrs.Raheela: acha beta nahi batao gi.......lekin ap Mujhe batao asal baat kia hai?......ap lunch karte kiu nahi ho?

Arman ne apna sir jhuka liya phir kuch dair ki khamoosi ke baad bola
Arman: madam wo sab larke mera mazak urate hai.......main sirf paratha aur Achar lata hu baki sab nuggets sandwich aur burger jaisi cheeze late hai.....iss liye nahi khata

Arman ne ab asal baat batai aur iss ke saath us ne apni aankho main aane wale ansoo saaf kiye

Mrs.Raheela ko Arman per bohat pyar aya un ka dil kia ke Wo Arman ko gale laga le.....phir wo Arman ke sir per haath pher ker pyar se boli

Mrs.Raheela: beta ap apni mama se kaho wo ap ko kuch aur bana ker diya kare
Mrs.Raheela ne bohat pyar se Arman ko suggestion diya
Arman: main ne 2 saal pehle kaha tha......mujhe nahi paratha le ker Jana sab mazak urate hai

Arman ne bohat masoomiyat se kaha
Mrs.Raheela: phir
Mrs.Raheela ko bhi ab interesting lag rahi thi baat iss LIYE wo aage pochna chahti thi

Arman ne ek nazar apni teacher ko daikha....... phir dobara sir jhuka liya

Arman: phir kuch dino baad meri api ne mujh se kaha......wo 11th class me jati hai jab 12th class clear ker le gi to wo colony ke bacho ko tuition parhaya kare gi..... phir jaisa lunch main kaho ga waisa API bana diya kare gi........ Per tab tak main Ami ko keh du bread kabab, nuggets, roll, khane se mera pait kharab hota hai........

Arman abhi baat ker he raha tha ke Mrs.Raheela ne us ki baat beech main kat ker pocha

Mrs.Raheela: per ap ki Behan ne aisa kia kaha.......


Arman: kiu ki jab se mama ne mujhe bread, nuggets wagaira lunch me dene shuro kiye tab se baba 2 ki bajaye raat ko 3 baje ghar aane lag gye...... madam mere baba ek Clark hai.....wo din main office jate hai aur raat ko taxi chalate hai...... Iss LIYE ke mujhe private school main parha sake aur fees ke saath book uniform aur Academy ke kharche utha sake...... Mere ek lunch ki wajha se wo 1 ghanta late aane lag gye........ Jab ke unhe subha 7:00 baje jagna parta tha office Jane ke liye...... Iss LIYE api ne kaha ke iss tarha baba ki tabiyat kharab ho jaye gi.... Iss LIYE main mama se keh du mujhe ye lunch na de..... Aur jab wo 12th clear ker Le gi to mere lunch ke liya paise bana liya kare gi...... To main ne mama se wohi KEH diya ..... Pehle bhi main he sirf private school se parha hu Aur Academy gaya hu meri behne to government school main parhti hai....... Mere lunch ke liya baba ko neend Ki qurbani deni per rahi thi jo Mujhe acha nahi lag raha tha..... To main ne mama se keh diya ke mujhe ye sab nahi khana
Arman ne aj apne andar ki sab baate bahir nikal di


Mrs.Raheela: to kia ab tak ap ki api ki 12th clear nahi huwi?


Mrs.Raheela ko Arman ki baato main interest barhta ja raha tha....wo aur janna chah rahi thi iss LIYE unho ne agla sawal kia


Arman: 12th to unho ne last year clear ker diya tha...... Aur pata hai unho ne pure board main top kia tha....... Iss ne baba se kaha ke iss ko canent college main admission karwa de jo bohat mehnga college hai........ Kuch fees wo scholar ship se de gi kuch wo tuition parha de gi baba per bojh nahi bane gi.....phir aakhir baba us ke bhi to baba hai na......aur iss ne kia bhi top tha to baba ne Api ka admission canent college main karwa diya....... Aur jab un ko pehli tuition fees mili to unho ne mujh se kaha........ Chalo Arman ab jo tum kaho gye wo hum le ker aye gye phir wohi tum lunch main le ker Jana ab mera bhai paratha achar nahi khaye ga api bohat khush lag rahi thi........ Lekin main ne unhe mana ker dia aur kaha api kasam se wo bazar ki cheezo se mera pait dard karta hai...... Waise bhi ab main bari class main aa gya hu ab mera koi mazak nahi urata ab main paratha kha ker ata hu........ Madam ap ko pata hai main ne aisa kiu kaha

Mrs.Raheela: dilchaspi se) kiu kaha

Arman: kiu ke ek din main ne Api ko choti api se kehte suna un ke college main bohat ameer larkiya parhti hai un ke paas bohat mehnagi cheeze hoti hai....... Api bhi tuition ke paiso se kuch le sakti thi waise bhi lunch itna zaroori to nahi tha to main ne Api ko bhi mana ker dia....... Waise bhi last year tak usman mera dost tha wo mere LIYE aksar lunch le ata tha........ Iss ki mama mere LIYE bohat maze ka lunch bana ker deti thi......iss ke baba ki posting dusri city ho gayi hai iss LIYE wo chala gya..... Phir mujhe naya dost mila he nahi...... Waise madam acha huwa wo chala gya......

Arman kuch udasi se bola...... Lekin Mrs.Raheela ko us ki akhri baat ki samjh nahi ayi ke dost ka Jana acha kiu huwa

Mrs.Raheela: acha kiu huwa.....AP ka dost ap ke saath rehta to zada acha nahi tha

Mrs.Raheela ne Detail me pocha......Arman ne ek thandi aah bhari aur bola

Arman: iss tarha se to bohat acha tha wo mera best friend tha...... Lekin jab bhi wo mere LIYE lunch lata tab bhi kuch larke tang karte the....... Ohhh aj phir usman Arman ke liya lunch laya hai....... Khao khao..... Maa baap gareeb hai to kia huwa dost to ameer hai...... Mera dil dukhta tha bohat bar main khana chor deta tha...... Lekin usman ke kehne per phir kha leta........ Madam mere mama baba gareeb nahi hai bus un ke paas paise thore kam hai..... Mere baba kehte hai ek din mere Arman doctor bane ga aur mujhe yaqeen hai main un ka khawaab pura karo ga.... Is LIYE mera dil karta tha usman kahi chala jaye phir koi mere mama baba ko gareeb nahi bole ga.......


Wo Larka apne har rishte ko le ker itna hassas tha itni Ahmiyat thi us ko Rishto ki ye daikh ker Mrs.Raheela ki Ankho main bhi ansoo aa gye

Mrs.Raheela: lekin beta ap lunch to karte nahi ap ki api ya mama ap ka lunch box check nahi karti?...... Aur pochti nahi ke lunch kiu nahi kia?

Arman: muskara ker) madam main apni van main lunch ker leta hu..... Iss van main sab paratha he le ker jate hai iss LIYE koi mera mazak nahi urata iss tarha Ami ko pata bhi nahi chalta ke main ne school main lunch nahi kia.....


Arman ne fakhar se kaha Mrs.Raheela ko Arman ki iss ada per bohat pyar aya......


Saath he break khatam hone ki bell baj gayi

Mrs.Raheela: chalo baki baate phir kabhi ker le gye


Arman bhi wapis ja ker apni chair per baith gaya....... Baki din normal guzra


Mrs.Raheela Arman ki soch se bohat attract huwi wo iss ke liya kuch karna chahti thi


Mrs.Raheela apne ghar aa gyi lekin Arman ki baate in ke dil se nikal he nahi rahi thi wo iss ke liya kuch karna chahti thi


Mrs.Raheela: in her mind) agar main Arman ke liya lunch bana diya karo..... Magar iss se to usman ka lunch nahi nahi ye theek nahi hoga

Wo bohat se kayal apne man main LA rahi thi phir un ke dimagh main ek idea aya


NEXT DAY


Brake se kuch dair pehle gate keeper ne class ke door per knock kia
Gate keeper: Arman zubair ke liya lunch aya hai


Arman herani se apni bench se utha aur ja ker lunch box le liya lunch bohat maze ka tha Arman pura kha gya


Phir ye roz ki baat ho gayi roz brake se pehle gate keeper Arman ko lunch de jata

Arman pura lunch kha leta yahan tak Arman ne 12th ke bhi paper de diye...... Is ne apni Behan Ki tarha board me top kia


12th tak wo lunch box Ata raha wo band nahi huwa Mrs.Raheela retire ho gayi
Mrs.Raheela andar he andar sochti ke kabhi Arman ne gate keeper se pocha kiu nahi wo lunch kis ne diya....... Jab ke Mrs.Raheela ka khayal tha Arman usi din ja ker ghar poche ga lunch kis ne bheja jab us ko pata chale ga ghar se KISI ne lunch nahi bheja to wo agle din Gate keeper se pocha ga nahi to lunch he nahi le ga....... Mrs.Raheela ne socha tha jab aisa hoga tab daikha jaye ga


Lekin Arman ne aisa Kuch nahi kia iss se ulta wo lunch ker ke chuti time lunch box gate keeper ko de jata

Mrs.Raheela sochti thi ke wo kia sochta hoga ke ye lunch kon de ker jata hai?.......

Magar ab WO ye kis se pochti ye sab...... 12th clear Karne ke baad USS ka medical college main Admission ho gya hai ye WO he sab ko bata ker gaya phir wo kabhi school nahi aya Mrs.Raheela Arman ko yad karti aur bus Us ke liya dua kar deti


PRESENT


Aj Mrs.Raheela ki Rone ki wajha ye thi kiu ke board per likha huwa tha (HEART SPECIALIST ARMAN ZUBAIR) Ye parhte he Mrs.Raheela ke saamne itne saalo ki baate aa gayi
Hareem: kia huwa mama?
Mrs.Raheela: mujhe doctor Arman se milna hai
Hareem: kiu?
Mrs.Raheela: gusse se) jo kaha hai wo karo

Phir 3no Mrs.Raheela ko andar le ker gye aur reception per ja ker doctor Arman KA pocha
Receptionist: muskara ker) wait a moment sir
3no ko receptionist ki muskrahat ki wajha samjh nahi ayi
Receptionist ne Doctor Arman se phone per baat ki Doctor Arman ne unhe kamre main baithne ko kaha
Nurse unhe doctor Arman ke cabin main le gayi wo 4ro wahan baith gaye
5 minute baad Doctor Arman kamre main aya ek Handsome sa doctor the doctor Arman
Arman aage aya aur Mrs.Raheela ke pairo main baith gaye ye daikh ker un ke 3no bache heran ho gaye
Mrs.Raheela ne Doctor Arman ke sir per haath rakha
Mrs.Raheela: ye mera student tha....... Lekin beta mujh per itna bar ehsaan kiu?
3no Behan Bhai ab bhi heran thi
Arman: muskara ker) pehle to ap ne mera introduction adhoora karwaya hai....... Main in ki class KA student nahi main in ki class KA wo student hu jin ko ye class 12th tak lunch bana ker deti rahi hai

Mrs.Raheela Arman ki iss baat se chonk gayi iss KA MATLAB wo janta tha
Mrs.Raheela: per tumhe kaise pata?

Arman: madam class two me main ne lunch karna chora tha us ke baad ap ki class tak kisi teacher ne nahi pocha ke AP lunch kiu nahi karte........ Us din ap ne pocha agle din lunch aa gya madam baat ye hai hum kis class Ki family se belong karte hai hamari class ke bacho ko halat bohat jald samjh aa jate hai........ Main bhi samjh gaya tha pehle din lunch aya to bohat bhook lagi thi iss LIYE Aram se kha gaya phir ghar ja ker puri raat socha ap ko kaise roku....... Phir socha bara ho ker sab paise wapis ker du ga jo ap ne lunch per lagaye....... Pata hai madam 1st day se le ker last day tak ke lunch ka hisaab aj bhi mere paas hai...... Aur wo paise the 62 thousand 4 hundred and 75 rupees
Arman paise bata ker ek bar muskaraya aur phir bola
Arman: jab bhi ap lunch deti to us din bakery se ja ker us khane ke paise poch ker ghar jaye ker dairy main date ke saath note ker leta...... Lekin jaise jaise waqt guzra samjh aa gayi puri duniya ki dolat bhi LA ker ap ko de di to lunch ke paise nahi chuka pao ga......... Kiu ki us lunch ki keemat 62 thousand 4 hundred 75 rupees nahi the us ki keemat wo mohabat thi jis se ap khana banati thi jis ki keemat puri duniya ki dolat se zada thi........ Bus iss ke baad main ne us lunch ki keemat dene ka sochna band ker dia...... Bus dua karta tha kabhi mujh ko aisa moka mile ke main ap ki madad ker saku.......... Us din ap ko daikha to foran pehchaan liya nurse ne bataya ke AP ki fees jama nahi huwi to mujhe laga mujhe wo moka mil gaya hai...... Aur jaha tak baat hai saamne na aane ki to ap ne bhi to gatekeeper ko mana kia tha ap ka naam na batane ke liye

Ye keh ker Arman ne ek baar Mrs.Raheela ki taraf daikha aur phir apna sir un ki goad main rakh liya
Mrs.Raheela ki Ankho main ansoo aa gye unho ne Arman ko apne gale se laga liya
Arman bhi ab bohat sakoon mehsoos ker raha tha

Hareem: muskara ker) acha to ap hai wo jin ke liye mama lunch le ker jati thi main bhi Socho mama itna kab se khane lagi
Hareem ki iss baat pee sab hans diye Aur Arman ne ek aisi baat kahi ke sab ka muh khula ka khula reh gaya
Arman: Hareem will you marry me
Arman ki iss baat per sab herani se Arman ko Daikhne lag gye
Arman: Aise kia daikh rahe hai sab kabhi to main ne shadi karni hai aur mujhe Hareem pasand bhi hai aur jahan tak mujhe pata hai Hareem ki shadi bhi nahi huwi aur iss tarha mujhe saas ke roop main ek maa mil jaye gi to kia main apne parents ko bhejo ap ke Ghar
Mrs.Raheela ne kuch pal socha phir Arman ke sir per haath pher kar han main sir hila diya
Hareem sharma ker bahir chali gayi aur mahool bohat acha ho gya
Phir 1 month baad engagement ho gayi aur 2 month baad shadi


THE END

YE EK NON-EROTIC STORY HAI YE STORY KE SAATH SAATH EK LESSON BHI HAI JO HUM SAB KO SHIKATA HAI (KAR BHALA SOO HO BHALA) HUM KISI KE SAATH ACHA KARE TO HAMARE SAATH BHI ACHA HOGA WAQT ZAROOR LAGE GA PER HOGA ACHA HE

Aansu Baha Baha Ke Bhi Hote Nahi kam Sahab,
Kitni Amer Hoti Hai Aankhe Gareeb ki
Hum ko apne bacho ko sikhana chahiye kisi ka bhi mazak na banaye ulta un ki aisi madad kare ke ek haath se kam kia to dusre ko pata bhi na chale
Bacho ko kia sikhana aj kal to bare bhi yehi karte hai to ye ek lesson hai puri duniya ke liye Ap ke pyare Dost Ahmad ki taraf se


SHUKRIYA
 

Top