Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 16


Kaluwa- wo tu kabhi nahi jaan payegi. Aur mera baap tujhe chhodega nahi.


Kaluwa ke itna kahne ke baad Sarita ke ishare par Mohit aur Javed Lockup me chale gaye aur Uski khatirdari karne lage. Bahut maar khane ke baad bhi kaluwa ne apna munh nahi khola.


****************

Usi samay Wahi thodi door ek khandhar me Bachchaa Singh, Umar 35-36 ke kareeb thi. Ek revolving chair par baitha huwa tha. Sharir se ekdam hatta katta insan tha Bachha singh. Wahi paas me uske Aadmi baithe huwe paisa gin rahe the. Bachha singh ne apne aadmiyo me se ek se kaha.


Bachha Singh- Kyon be Raka. Kitna Collection huwa hai Aaj ka.

Raka- 10 Lakh Rs. Huwe hain Maai baap.


Bachha singh gusse se kursi se uth khada huwa aur bola.


Bachha Singh- Kya bolta hai be. Sirf 10 Lakh. Salon din bhar me 50 laakh se jyada collection hota hai aur tum bol rahe ho ki 10 Lakh hi hue hain. Main pichhle kuchh dino se dekh raha hoon ki collection me roj kami aati ja rahi hai. Tum sab nithalle ho gaye ho ya tum log mere sath dhokha kar rahe ho.

Raka- Nahi maai baap. Aapke sath dhokha karke hame marna thodi hai. Collection kam hone ka karan wo Inspector hai jo Nawa Nawa is thane me aaya hai.

Bachha singh- (hanste huwe) ka bola be. Ek Adane se inspector ko wajah se collection kam ho gaya hai. Tune aaj din me bhi Chadha rakhi hai kya.

Raka- Nahi maai baap. Wo Ispector bahut khatarnak hai. Jab se Aai hai Usne hamari naak me dam karke rakha huwa hai. Bahut kadak Inspector hai wo.

Bachha singh- Ka bola be tumne. Aai hai.

Raka- Haan maai baap. Wo inspector ek aurat hai. Jise hamari naak me dam kar rakha hai.

Bachha Singh- Ka bola be. Aurat hai wo. Salo tum logo ne bacha singh ka naam mitti me mila diyo. Ek Aurat se Dar gaye. Thhuu hai tum logan par. Sala main tum logo ko faltu me paal raha hoon. Ek aurat se darker collection kam kar diya tum sab ne. Kaluwa kahan hai. Use bolo ki Us Inspector ko Uska parsadi pahucha de.

Raka- Kaluwa boss gayaa tha maai baap, lekinn………..

Bachha Singh- Lekin kya.. teri juban talu me atak gayi hai kya jo bol nahi nikal rahe hain.

Raka- Kaluwa gaya tha Us Inspector ko uski parsadi dene. Lekin usne Kaluwa boss ko hi parsadi de kar thane se nikal diya. bahut insult kiya usne Kaluwa boss ka. Thaapad bhi mara usne boss ko. Wo bahut hi tez tarrar hai Maai baap. Sidhe kes banakar jel me dalne ki dhamki deti hai.

Bachha- Kyaa. Aur ye tum mujhe ab bata rahe ho nikammo. Lagta hai Us Inspector se milna hi padega. Tum sab sale ek aurat se darte ho. Ham to police ko apni jeb me lekar ghoomte hain to ye to ek aurat hai. Ise to main chutkiyo me masal doonga agar jyada chuu chapad ki usne to. Meeting fix karwao usase meri.


Abhi Bachha singh ne itna hi kaha tha ki Uska phone bajane laga. Usne Sabko Chup rahne ka ishara kiya aur phone utha liya.


(Note- Bachha aur Uska bhaai Raghu Is poore area ko sambhalte hain. In dono ke upar 2 Boss hain inke. Jinko In dono ke alava Aaj tak kisi ne dekha nahi tha un dono se baat karne ke baad Raghu aur Bachha singh ko jo disha nidesh milte rahte the ye Usi nidesh par apna kaam karte rahte hain. Sabse Bade boss ko ye log Sarkar kahte hain Aur usase niche wale ko boss bolte hain. To main bhi ek ko Sarkar Aur Ek ko boss kahkar hi sambodhit karungi.)


Bachha Singh- Namaste boss.

Boss- Namaste ko maar goli. Tum sab ye kar kya rahe ho. Tum log ekdam nikamme ho gaye ho kya. Tumhe pata bhi hai, Kaluwa ko aaj wo kal ki aayi laundiya ne pakadkar jel me dal diya hai aur uski ache se khatirdari kar rahi hai. Mujhe lagta hai ki tum log ab kisi kaam ke nahi rah gaye ho.

Bachha Singh- Kyaa. Kaluwa ko us inspector ne pakad liya. Kab, kahan, kaise, Mujhe to pata hi nahi Hai iske bare me boss.

Boss- Isiliye to kah raha hoon ki tum Sab kisi kaam ke Nahi rah gaye ho. Tumhe apne Sathi ke baare me koi jankari nahi hai. Agar Sarkar ko pata chala to wo kitne naraz ho jayenge. Ye to tumhe pata hi hoga. Pichhli baar Raghu ke pakde jane par wo kitna naraj ho gaye the. Wo alag baat hai ki Raghu kuchh hi ghanto me chhoot gaya tha. Tum jaldi se kaluwa ko chhudwane ke intezam karo Sarkar ko pata hone se pahle hi. Aur jitni jaldi ho sake us Inspector ka kuchh socho. Nahi to hanth me katora lekar bheekh mangni padegi tum logo ko.

Bachha singh- Thik hai boss main kuchh karta hoon. Aap chinta mat kariye. Aur agar Sarkar ka phone aaye to aap unhe sambhal lena.


Itna kahkar Bachha siingh ne phone rakh diya. Phone rakhte hi raka ne usase poocha.


Raka- Kya huwa maai baap. Aap bahut tension me lag rahe hain.

Bachha singh- Kaluwa ko us inspector ne pakad liya hai. Boss bahut naraz ho rahe hain. Sarkar ko pata chalega to pata nahi kya hoga.

Raka- Ab kya karenge ham log maai baap.

Bachha singh- Tum logo se kuchh nahi hoga. Ab jo bhi karunga main hi karunga wo bhi Raghu ke aane se pahle. Tumhe to pata hai ki wo bahar gaya hai kuchh kam se. agar wo Yahan par aa gaya to bahut bawal machayega. Uski naak par gussa jo rahta hai hamesha. Lagta hai ek baar us inspector se milna hi padega. Abhi Sab yahan se apne apne ghar ke liye nikal jao baad me milta hoon main.


Uske baad sab apne apne ghar ko nikal gaye. Aaj ka din aise hi beet gaya. Do-teen din tak kaluwa ko chhudane ka bahut prayatn kiya Bachha singh ne lekin Sarita ne use nahi chhoda. Aakhirkar Sarkar ne apni political power ka istemal karke Kaluwa ko chhudwa hi liya


*******

Is mamle mein CO Nischal Singh Rathod ko bhi apne Senior Officer ki dant sun-ne ko mili. Kyonki Sarita ne ye sab bina Uski parmission ke kiya tha aur Sarita usi ke undar me thi.


Ek subah Sarita Apne cabin me baithi file me apna sir khapa rahi thi tabhi CO Nischal Singh Rathod Sarita ke cabin me aaye. Sarita ne Apni kursi se uthkar Nischal ko Salute kiya. Nischal Singh Rathod ne Uske Salute ka jawab diye bina gusse me usase kaha.


Nischal- Tum samajhti kya ho apne aapko. Tumhara jo man karega tum wo karogi. Ye tumhara ganv nahi hai ki jo man me aaye wo karo Samjhi tum.

Sarita- Sir. Aap mujhse aise kaise baat kar sakte hain. Maine aisa kya kar diya jo aap bina matlab mujhe dant rahe hain.

Nischal- Kya kiya tumne. Kiski permission se tumne waha par raid dali aur Kaluwa ko pakda tha. Chalo ye bhi thik hai ki tumne use pakada. lekin tumne ek baar bhi mujhe batana jaroori nahi samjha. Main tumhara boss hoon tum meri nahi. To tumhe mujhe batana chahiye tha.

Sarita- Lekin maine koi galat kaam nahi kiya. Haan ye sahi hai ki maine aapse permission lena jaroori nahi samjha, lekin us samay setuation aisi thi ki agar main permission ka wait karti to kaluwa aur uske sathi apna kaam karke ja chuke hote. Fir us permission ka koi matlab nahi nikalta. Lekin mujhe ye samajh nahi aata ki aap meri tareef karne ke bajay mujhe suna rahe hain.

Nischal- Sunau nahi to aur kya karu main. Tumhare is karname se mujhe apne alaa adhikariyo ki dant sun-ni padi. Ki main apne junior ko control nahi kar sakta. Tumne koi galat kaam nahi kiya, kyonki apradhiyon ko pakadna aur un par control karna hi hamara farz hai. Tumne Permission nahi li thi to kam se kam ek baar mujhe batana tha tumhe is bare main. Main tumhara boss hoon to mujhe har baat ki jankari honi chahiye. Tum aise kisi kaam me apni manmani nahi kar sakti ho.

Sarita- Main is baare me aapko batana jaroori nahi samjha. Aur aage bhi agar mujhe kuchh galat laga to uske khilaf main action lene me koi Kotahi nahi bartungi.

Nischal- Jaroori nahi samjha se kya matlab hai tumhara. Tumhari wajah se mujhe bahut sun-na pada hai alaa adhikariyo se. iska badla main tumse lekar rahunga. Ab to tumse meri doosri baar dusmani ho gayi hai. Savdhan rahna tum. Meri najar hamesha tumpar hi rahegi. Tumhe apni galtiyon ke liye saza jaroor milegi aur wo saza main khud tumhe doonga.

Sarita- Aapko jo karna ho kar lijiyega. Lekin main apna farz nibhane ke liye apke samne nahi jhukungi.


Nischal ye baat sunkar dant pista rah gaya aur Sarita ke cabin se bahar aa gaya aur thane se bahar nikal gaya.


Nischal ke jane ke kuchh der baad hi bachha singh PS me aaya aur usne Sarita se milne ke liye hawaldar se anumati mangi. Kyonki bachha singh ke sara kaam kaluwa hi karta tha. Isliye bachha singh ko jyada koi policewala janta nahi tha. Hawaldar ne usase poocha.


Hawaldar- Kya kam hai aapko madam se.

Bachha- Mujhe ek bahut jaroori suchna maidam ko deni hai.


Hawaldar ne ye sunkar bachha ko Sarita ke cabin ki taraf ishara kar diya. Bachha Sarita ki cabin ke paas pahuchkar darwaza khola aur kaha.


Bachha- kya main andar aa sakta hoon madam.

Sarita- Yess come in.


Sarita ki baat sunkar bachaa cabin ke andar aa gaya aur bola.


Bachha- namaste maidam.

Sarita- Namaste. Baithiye. Kuchh kaam tha aapko.

Bachha- ji mera naam bachha singh hai. Aapke baare me bahut suna hai maine. Aap apna kaam bahut imandari se kar rahi hai. Bahut charche hain aapke.

Sarita- Agar aapko yahi sab kahna hai to aap ja sakte hain. Mujhe apni tareef sun-ne me koi intrest nahi hai. Agar aap ko mujhse kuchh madad chahiye to aap boliye. Nahi to aap jaiye mujhe bahut se kaam poore karne hain jo pending me hain.

Bachha Singh- (lambi sans lekar) thik hai madam jab aap kah rahi hain to main mudde par aata hoon. Wo kya hai na madam. Jab se aap aai hain aapke karname bahut sune hain maine to maine socha ki aapse thodi jaan pahchan badha li jaye. Aur waise bhi is kursi se mujhe bahut pyaar hai. Aakhir is kursi par baithne wala apna bahut khaas ho jata hai. Is kursi par baithne wale ke sath apna gahra yarana ho jata hai. Bas wahi yari nibhane ke liye main yahan aaya hoon.

Sarita- matalab kya hai tumhara Saaf Saaf kaho.


bachcha Singh ne Sarita ki baat sunkar hajaar hajaar ki do gaddi nikalkar sarita ke samne rakh di aur bola.


Bachcha singh- wo kya hai na madam. Mera kaam hi aisa hai ki police walon ko sath mein milakar chalna padta hai. To main ye chahta hoon ki aap mere kaam ke bich mein dakhal na diya kijiye. Jiski kimat aapko hamesha milti rahegi.


Sarita ek to Nischal ki bato se pahle se hi thoda gusse me thi. Bachha singh ki baat sunkar uske gusse ka para satve aasman par pahuch gaya. Usne gusse se chillate huwe kaha.

Sarita- Apne paise uthao aur Dafa ho jao yaha se Abhi ke Abhi.

Bachhha- Are madam aap to hamse naraz ho gayi. Ham yaha aapko naraj karne thodi hi aaye hain. Ham to aapke sath dosti karna chahte hain. Aakhir chor chor mausera bhai hota hain. Lekin aap aurat hain to aap bhai ki jagah meri bahan ban jana. Main khali hanth thodi hi aapse dosti karne ke liye aaya hoon. Main apni dosti ki shuruaat aapko tohfa dekhar karna chahta hoon. Ye to ek nangi hai. Asali tohfa to abhi baki hai. Mujhe ummeed hai ki mera tohfa dekhne ke baad aap inkar nahi kar payengi.


Itna kahkar Bachha Singh he hajaar hajaar ke noto ki 2 gaddi aur ek parcel jisme sone ke biskits the, nikal kar Sarita ke table par rakh di. Paisa aur sona dekhkar Sarita ka para aur chadh gaya aur wo noto ki gaddi uthakar bachha singh ke munh par mar kar fufkarte huwe boli.


Sarita- Kamine mujhe khareedne ki koshish karta hai. Sarita joshi ka iman itna sasta nahi hai ki chand noto ki gaddi dekhkhar bik jaye. Tu dafa ho ja yaha se nahi to rishwat dene ke jurm me tujhe andar kar doongi. Kausal. Janhavi. Kaha ho tum dono.


Sarita ki aawaz sunkar Kaushal aur janhavi. Sarita ke cabin me pahuch gaye aur waha Bachha ko paisa Aur visits jameen se uthate dekhkar wo samajh gaye ki kya majra hain. Kausal ne kaha.


Kaushal- Ji madam aapne bulaya mujhe.

Sarita- Ise abhi ke abhi bahar ka rasta dikha do aur ise bol do ki ye mere PS me dobara nahi dikhna chahiye.


Sarita ki baat sunkar Kaushal Bachha singh ki banh pakadkar use Sarita ke cabin se bahar le jata hai. Uske jane ke baad Sarita janhavi se kahti hai.


Sarita- pata nahi kahan kahan se chale aate hain. Inhe lagta hai ki main Sarkar ke liye kaam nahi kar rahi hoon balki inke liye kam kar rahi hoon. Jab man me aaye munh uthakar chale aate hain. Agali bar se kisi ko bhi andar bhejne se pahle poori janch padhtal karne ke baad hi use mere paas bhejna.

Janhavi- sorry madam. Aage se is baat ka dhyan rakhungi main. Usne to hawaldar se aapse milne ke liye poochha tha to hame laga ki aapka koi janne wala hoga. Isliye hamne use andar aane diya. aage se poori janch padtal karne ke baad hi aapke paas bhejungi.

Sarita- Thik hai Janhavi. Ab tum bhi jakar apna kaam karo.

Janhavi- thik hai madam. Agar aapko chaai pina ho to main aapke liye chaai bhijwau maidam.

Sarita- Thik hai Janhavi.


Sarita ki baat sunkar janhavi uske cabin se bahar aa gayi aur hawal dar se Sarita ko chaai dene ke liye bol diya. thodi der me hawaldar Sarita ko chaai dekar bahar aa gaya.


********

PS se nikal kar Bachha singh apne adde par pahucha. Waha par rakha aur uske kuchh sathi pahle se hi maujuud the. Bachha ke jate hi sabhi ne use salam thoka. Bachha apni kursi par baith gaya aur Raka ko apne paas bulaya aur kaha.


Bachha. Tum sahi kahate the. Wo to Sali bada current marti hai. Bahut tez tarrar hai wo to. 2 lakh aur sona dekhkar bhi nahi pighli wo. Mujhe jel me dalne ki dhamki bhi de di usne. Badi katili laundiya hai be wo to. Lekin use nahi pata ki usne kisase panga liya hai. Bachha singh se. Bachha singh se panga lene ke baad aaj tak kisi ka bhala huwa hai jo uska hoga. Bahut mahanga padega use bachha singh se dusmani mol lena.

Raka- wo to thik hai Sahi hai maai baap. Lekin ab aage kya karna hai hame.

Bachha- Abhi tum logo ko kuchh nahi karna hai. Meri mano to kuchh din tak kahi chhup jao aur ye kaam kuchh din ke liye rok do. Wo Sali dimag se satki hui hai kuchh bhi kar sakti hai. Main baad me bataunga tum logo ko ki kya karna hai. Aur wo laundiya logo ki bahut madadgar ban rahi hai. Bahut sauk hai use imaandari se naukari karne ka. Uski naukari uski imaandari hi legi.

Main koi aisa chakkar chalaunga ki wo chhatpatati rah jayegi, logo ko apni imandari ka ehsas karwati rahegi, lekin uski baat par koi bharosha nahi karega. Mujhse dusmani leti hai. Bahut uchal rahi hai wo apni vardi ke dam par to ab uski wo vardi ab main hi utarwaunga. Fir dekhta hoon ki kitna uchhalti hai. Aur suno tum sab. Is bare me Raghu ko bilkul bhi pata nahi chalna chahiye.

Raka- Kyon maai baap. Unhe bhi to is baat ki jankari hona bahut jaroori hai.

Bachha- tum samajh nahi rahe ho. Agar use ye baat pata chal gayi to wo apna kamdham chhodkar kal hi yaha wapas aa jayega. Aur tum to usko jante hi ho. Baat kam karta hai aur marta jyada hai. Pata laga jo mamla aasani se sulajh sakta hai wo yaha aakar is laundiya ko ludhka diya to bina matlab bakheda khada ho jayega. Main apne tarike se mamale ko suljhaunga.

Raka- wo to thik hai lekin baad me unhe pata chala to wo gussa ho jayenge.

Bachha- Use main baad me apne tarike se handle kar lunga. Pahle is laundiya ka koi bandobast to kar doon. Is mamale me markat ki jaroorat nahi hai. Chalo ab tum sab nikalo yaha se. kuchh din sab chupchap baith jao. Jaisa bhi hoga main bataunga tum sab ko.


Iske baad sabi waha se apne apne ghar ko chale gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
silent working
Super-Moderator
1,527
1,338
143
supreb update mahi ka gussa badh raha hai dhere dhere use jaldi hi khud ko control karna hoga nai to koi badi problem uske samne aa jayegi
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
supreb update mahi ka gussa badh raha hai dhere dhere use jaldi hi khud ko control karna hoga nai to koi badi problem uske samne aa jayegi
धन्यवाद आपका महोदय।
वो तो समय के साथ शान्त हो जाएगा, लेकिन जो मुसीबत आने वाली है उसका क्या करेगी सविता।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 17


Ye alag baat hai ki kauwa ko sarkar ne apni power ka istemal karke chhuda liya tha, lekin Kaluwa ko pakadne aur Imandari se kaam karne ke karan Sarita ki popularity bahut badh gayi thi. Logo ko ek ummeed jag gayi thi ki koi officer to aisa hai jo imaandari se kaam kar raha hai aur unki samasyaon ko suljha raha hai.


Isi popularity ke chalte ek news channel ne apne ek khas programm haunslo ki udan ke liye Sarita ka interview lena chahte the. Lekin Sarita ne ye kahkar interview dene se mana kar diya ki use ye sab karke koi celebrity nahi ban-na. use bas imandari se apna kam karna hai.


Usko jo jimmedari saupi gayi hai use poori nishtha aur poore haunsle ke sath nibhana hai. Bahut minnate karne ke baad Sarita interview dene ke liye maan gayi, lekin uske liye usne apni marji se time fix karne ke liye kaha.


Isi tarah din beet-te rahe. Lagbhag 10 din baad ho gaye the is Bachha Singh wale matter ko. Ek din wo apne cabin me baithkar kaam kar rahi thi. Tabhi Rawat sir ne use apne paas aane ke liye kaha. Sarita rawat sir ke paas chali gayi aur unse kaha.


Sarita- Kya baat hai Sir. Aapne mujhe bulaya.


Rawat sir ne Sarita ke hanth me ek paper pakdate huwe kaha.


Rawat Sir- Ise dekho khud samajh jaogi ki maine tumhe kyon bulaya hai.


Sarita Rawat sir ke hanth se wo paper lekar padhne lagi. Jaise jaise wo paper padhti ja rahi thi waise waise uske chehre ke bhav badalte ja rahe the. Sarita ne poora paper padhne ke baad rawat sir ki taraf dekhte huwe kaha.


Sarita- ye sab kya hai sir. Aapko lagta hai ki main aisa kuchh kar sakti hoon. Maine kuchh nahi kiya sir. Ye kisi ne mere khilaf galat afwah failane ke liye aisa kiya hai. Aap to mujhe jante hain sir. Kya aapkko lagta hai ki main aisa kuchh kar rahi hoon.

Rawat- Mujhe pata hai ki tumne kuchh nahi kiya hai. Mujhe tumhari imandari par poora bharosha hai, isiliye to maine tumhe khud bulakar ye paper tumhe dikhaya hai. Agar ye nischal ke paas pahuch gaya to tumhare liye bahut samasya ho sakti hai. Kyonki wo pahle se hi tumse kisi baat ke liye naraz chal raha hai.

Wo bura ladka nahi hai, lekin duty ke prati wo koi bhi laparwahi bardast nahi karta. Isliye tumhe ab pahle se bhi jyada satark rahna padega aur bahut hi savdhani se kaam karna hoga. Tumhari ek galti tumhe is case me fansa sakti hai beti.

Sarita- thik hai Sir. Main aage se bahut satarkta ke sath kaam karungi.


Ye kahkar wo apne cabin me aa gayi aur abhi jo kuchh bhi uske khilaf complain aai thi usi ke bare me sochne lagi.


Sarita- (Man me) Main to itni imandari se apni naukari kar rahi hoon. Maine aaj tak kisi se ek paisa nahi liya hai to ye kaun ho sakta hai jisne mere khilaf ye complain ki hai. Aakhir maine kisi ka kya bigada hai. Had hai yaar. imandari se naukari karna bhi kathin ho taja raha hai.


Abhi Sarita ye soch hi rahi thi ki tabhi Jawad Akhtar ek case ke silsile me kuchh baat karne uske paas aa gaya. Jiske baad uska poora din isi me gujhar gaya. Sham ko wo apne ghar aa gayi. Isi tarah do din aur beet gaye.


Tisre din kisi case me uljhi hone ke karan Sarita ko PS se ghar jane ke der ho gayi. Takriban raat ke 8 baj gaye the. PS se nikalne ke baad wo apni Sarkari gadi se ghar ja rahi thi. Kyonki Sarita ko car drive karna aata tha isliye wo khud car drive kar rahi thi.


Abhi wo PS se thodi hi door gayi thi ki ek budhiya Achanak bich sadak par aa gayi aur uski gadi se takra gayi. Sarita na sahi samay par break mar di thi jiski wajah se takkat jyada jor ki nahi lagi thi. Sarita turant apni car se utri aur us budhiya ke paas pahuch gayi aur boli.


Sarita- Amma Aapko kahi chot to nahi lagi. Aur aap achanak bich sadak par kaise aa gayi. Wo to achha huwa ki maine ein mauke par breack maar diya nahi to apko bahut jyada chot lag sakti thi.

Budhiya. Nahi bitiya. Mujhe jyada chot nahi aayi hai. Bas meri gathri gir gayi hai tum jara use uthakar mere sir par rakh do beti. Main apne ghar ja rahi hoon.

Sarita- Chaliye main aako aapke ghar par chhod deti hoon. Aap kaha par rahti hain Amma.

Budhiya. Are nahi bitiya. Tum kyon pareshan ho rahi ho main chali jaungi. Bas tum meri gathri mere sir par rakh do.


Sarita us budhiya ki baat nahi manti aur use pakadkar apne gadi ke paas le aati hai. Apne gadi ke paas khada karke Sarita uski gathri lene jati hai. Sarita ne jhukkar wo gathri uthayi aur le jakar apni car me rakhne lagti hai. Thik usi samay do gadiya aakar Sarita ke gadi ke pass rukti hain. Usme se 4 Aadmi bahar nikalte hain. Unhe dekhkar Sarita apni car ka darwaza band kar unki taraf dekhne lagti hai unme se ek aadmi Sarita se poochta hai.


Aadmi- Miss Sarita Joshi.

Sarita- Ji haan.

Aadmi- main CBI Officer Pradhan hoon. Aapko sharam nahi aati. Jo kisi gareeb ke mehnat ki kamai ko is tarah se loot rahi ho. Ek report likhne ke liye usase rishwat mangti ho. Kya Sarkar ki di hui salary se aapka gujara nahi hota jo apne iman ko bechkar paise kama rahi ho. Aapko sharam nahi aati aisa karte huwe.

Sarita- Ye kaisi baat kar rahe hain aap sir ji. Maine kisi se rishwat nahi li hai aur na hi maine koi aisa kaam kiya hai jisase mujhe sharam aaye. Main to bas us budhi Amma ko, jo meri gadi se takra gayi thi unhe ghar chhodne ja rahi hoon. Ye unhi ki potli hai.

Pradhan- Kise ghar chhodne ja rahi ho. Waha to koi nahi hai.


Sarita ne Pradhan ki baat sunkar pichhe mudkar dekha to budhiya waha se gayab thi. Sarita ko samajh me aa gaya ki use in sab me fansaya gaya hai. Sarita ne kaha.


Sarita- Abhi to yahi thi sir. Pata nahi kaha chali gayi aur apni gathri bhi bhool gayi.

Pradhan- Jara is gathri ko tho kholiye miss Sarita Joshi. Ham bhi to dekhe ki aapki baat me kitni sachhai hai.


Pradhan ki baat sunkar Sarita ne us gathri ko apni car se bahar nikala aur bonat par rakhkar use khol diya. gathri khulte hi Sarita aur un officers ki aankhe badi ho gayi. Sarita vismit si hokar Pradhan ko dekhne lagi. Gathri me ek kapda aur kuchh Paise aur ek mangalsutra tha. Uske sath hi ek letter bhi usme rakha huwa tha. Pradhan ne Sarita se kaha.


Pradhan- Iske baare me apke kya vichar hain Miss Sarita Joshi. Kya aap ab bhi kahengi ki aapne rishwat nahi li.

Sarita- Ji sir main ab bhi yahi kahungi ki maine kisi se koi rishwat nahi li aur iske baare me mujhe kuchh bhi pata nahi hai.

Pradhan- Jyada Smart ban-ne ki koshish mar karo miss sarita. Hamne sabkuchh apni aankho se dekha hai. Iske pahle bhi hame aapke khilaf rishwat lene ke liya complain aai thi. Jiske liye aapko notice bhi diya gaya tha, lekin aapne ne us notice ko gambhirta se nahi liya aur apni harkto se baaz nahi aayi. Aaj kisi ki complain ki jaroorat nahi hai. Aaj hamne aapko range hantho pakad liya hai.

Sarita- Lekin main sach kah rahi hoon sir maine kisi se koi rishwat nahi li. Main to us buddhi Amma ki madad karna chahti thi aur kuchh nahi. Mera yakeen kijiye sir.

Pradhan- Kitni Dheeth ho tum. Aapna deen iman bechkar bhi kaise besharmo ki tarah juban lada kar rhi ho. Aap yakeen ki baat kar rahi hain. To fir aapke khilaf jo shikayate aati rahi hain uska kya. Chalo maan liya ki koi tumhare khilaf shajish kar raha hai, lekin abhi jo ham logo ne dekha uska kya.

Is latter ko dekho. Isme saaf likha hua hai ki maidam maine apni poori jama punji aapko de di hai ab to meri complain likh lijiye aur mere pati ko chhuda lijiye. Aap kahengi to main kahi se aur paise ka intezam karke aapko de dungi. Lekin meri madad kijiye madam. Iske baad bhi aap apni safaai me kuchh kahna chahti hain.


Sarita ko Anuman ho gaya tha ki ab vo poori tarah se fans chuki hai ab wo chahe kitni bhi apni begunahi ki fariyaad kare lekin uska koi sunne wala nahi hai. Isliye chup rahne me hi usne apni bhalai samjhi. Sarita ko chup dekh Pradhan ne kaha.


Pradhan- Aapki chuppi is baat ka subut hai ki aap par jo bhi ilzam lagaye gaye hain wo bebuniyad nahi hain. Aap sach me rishwat khor police officer hain. Jisne chand rupayo ke liye apni iman bech diya hai.

Sarita- Listen to me sir.

Pradhan- No. ab aapki koi baat nahi suni jayegi. Ham sab aapko doshi mante hain. Ab aapke paas 1 week ka samay hai. Aapko ek saptan ka samay diya jata hai apni begunahi sabit karne ka. Agar in ek saptah me aapne apni begunahi sabit nahi ki to you are faired aur sath mein apni wardi ka galat istemal karne ke jurm mein saza bhi hogi. Chalo sabhi.


Sarita meri baat to suniye sir karti rahi. Lekin uski koi bhi baat nahi suni gayi. Pradhan aur uske sath aaye huwe officers us potli ko apne sath lekar chale gaye. Sarita hatash pareshan si khadi apni kismet ke bare me sochti rahi. Jisne shuru se uske sath daga kiya tha.


Khushiyo ke kuchh pal uske Jeevan me aaye the to aaj wo bhi chale gaye the. Yahi sab sochkar unki aankho me aanshu aa gaye. Use Rawat Sir ki baat yaad aane lagi jab unhone Sarita se kaha tha ki tumhe ab har kadam sambhal kar rakhna hoga. Maine unki baat ko kaise bhool gayi.


Kuchh der aise hi sochte rahne ke baad usne kamre par jana behtar samjha aur car me baithkar apne kamre par aa gayi. Kamre me aakar apne bister par late gayi aur sari ghanta ke baare me sochne lagi ki aakhir iske pichhe kaun ho sakta hai. Tabhi Sarita ka phone bajne laga. Sarita ne dekha ki phone uski maa ka hai. Apni maa ka phone dekhkar uski aankho se aur tez aanshu bahne lage. Lekin usne turant apne aapko sanyamit kiya aur phone utha liye. Udhar se Sarita ki maa ki aawaz aayi.


Rani ji- Hello Sarita bitiya. Kaisi ho tum.

Sarita- Pranam maa. Main achhi hoon maa. Aap kaisi hain.

Rani ji- main bhi achhi hoon bitiya. Pata nahi subah se kya ho gaya hai mujhe bahut bechaini si ho rahi hai. Baar baar man me bure khyal aa rahe the. Kahi tu kisi musibat me to nahi hai. Maine kai baar phone karne ki sochi, lekin fir ye sochkar nahi kiya phone ki tum apne kaam me busy hogi to tumhe disturbance hoga. Sab thik hai na bitiya. Tumhe kahin koi dikkat to nahi hai na.


Apni maan ki baat sunkar Sarita ki aankho me aanshu bahna fir se shuru ho gaye. Aakhir maa ko bhi ehsas ho gaya ki main kisi musibat me hoon. Maa tum kaise jan leti ho ki aapki beti musibat me hai. (Aksar aisa hota hai ki jab ham kisi musibat me hote hain to kisi aur ko to nahi lekin maa ko aksar aabhash ho jata hai ki mera bachha/bachhi musibat me hain.) Sarita yahi sab sochkar aansu baha rahi thi. Rani ji apni baat kahti ja rahi thi. Kuchh pal tak jab Sarita ki koi aawaz nahi aayi to Rani ji ne fir se thodi tez aawaz me kaha.


Rani- Kya huwa bitiya. Tumm itni chup chup kyon ho. Tum sun to rahi ho ki main kya kah rahi hoon.

Sarita- (sabhalte huwe) main bilkul thik hoon maa. Wo aaj subah se 8 baje tak office me bahut kaam tha. To kam karke mera sir thoda thoda dard kar raha hai aur koi baat nahi hai. Main abhi sone ja rahi hoon. Kal subah baat karti hoon aapse.

Rani ji- Thik hai bitiya. Apna khyal rakhna aur phone karte rahna.


Rani ji jab phone rakhne lagi to Manisha ne Rani ji se phone Chheen liya aur bol padi.


Manisha- Hello didiya. Phone mat rakhna. Thodi der mujhse bhi bat kar lo didiya.

Sarita- Wahi to main soch rahi hoon ki meri chhipkili ne abhi tak phone liya kyon nahi mummy se.

Manisha- (hanskar) Aap thik to ho na didiya. Koi pareshani ho to main aa jaun Aap ke paas.

Sarita- Main bilkul thik hoon. Tujhe to bas bahana chahiye ghoomne ka. Tera dhyan padhai likhai par nahi rahta. Is baar history aur bharat ka sanvidhan khoob ache se yaad kar lena. Main bahut jaldi ghar aa rahi hoon fir tujhse is bare me baat karungi.

Manisha- Kyaa didiya. Jab dekho tab padhai padhai aur bas padhai. Is bachhi ko chain se jine nahi dengi aap. Abhi to mere khelne kudne ke din hain didiya. Ye padhai likhai apne bas ki baat nahi hai.

Sarita- ghodi ho gayi hai aur bol rahi hai ki abhi khelne kudne ke din hain. Agar padhai nahi karegi to teacher kaise banegi jo tu ban-na chahti hai.

Manisha- Ab maine wo vichar bhi tyag diya hai. Padh llikh kar kuchh hone wala nahi hai. Waise bhi jisase meri shadi hogi wo to mujhe kama kar khilayega hi. Phir mujhe naukari karne ki kya jaroorat hai didiya.

Sarita- tu na bahut juban chalane lagi hai aajkar. Main aakar teri bahut pitai karungi.

Manisha- (bhavuk hokar) Aap ko jitna marna ho mar lena didiya. Aap jo bhi padhne ke liye kahengi main sab padhungi. Bas aap ghar aa jaiye. Mujhe aapki bahut yaad aati hai. Jab se aap gayi hain tab se ek baar bhi ghar nahi aayi hain.

Sarita- Chal ab jyada emotional mat ho nahi to main bhi ro dungi. Acha ye bata papa to thik hain na.

Manisha- Haan didiya. Papa bilkul thik hain. Aapko bahut yaad karte hain.

Sarita- thik hai Manisha. Main bahut jaldi ghar aati hoon. Ab main phone rakh rahi hoon. Subah jaldi PS bhi jana hai.

Ghar walo se baat karne ke baad Sarita ko achha mahsoos ho raha tha. Uske dimag se abhi kuchh der pahle wali ghanta nikal gayi thi. Usne apne liye coffee banayi aur jakar balcony me baithkar coffi pine lagi. Coffee pite huwe fir se uske jehan me aaj ki ghanta kisi chalchitra ki tarah chalne lagi. Aakhir vo bhudhiya kaun thi jo mujhe fansane ke liye waha aai thi. Ye sab kaun kar sakta hai mere sath. Mujhe kuchh samajh me nahi aa raha hai. .


Yahi sab sochte huwe wo apni chaai khatam karti hai aur apne bister par late jati hai. Aaj ki sari ghatnaye uske mastishk me ghoom rahi thi. Dhire dhire wo neendh ki aagosh me chali jati hain.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
expectations
22,827
14,868
143
Sarita bahut bura fans chuki hai musibaton ke jaal me dekhte hain imaandari ki kya kimat use chukani padegi
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Sarita bahut bura fans chuki hai musibaton ke jaal me dekhte hain imaandari ki kya kimat use chukani padegi
धन्यवाद आपका महोदय।
वो तो आगे आने वाले भाग में पता चल जाएगा ।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 18


Subah Sarita 7 baje sokar uthi fresh hone ke baad apne liye chaai aur nasta banakar bister par baith gayi aur chaai ki chuskiya lene lagi aur sochne lagi kal ki ghanta ke baare me. Pata nahi Sarita ko kya huwa tha ki uska dimag Kaluwa aur Bachha ki taraf nahi ja raha tha. Jaise use lag hi nahi raha tha ki wo dono bhi uske khilaf aisa kuchh kar sakte hain. Achhanak chaai pite huwe wo ek jhatke se uth kadi hui. Use kuchh yaad aaye. Wo badbadate huwe boli.


Sarita- to ye sab tumne kiya hai nischal singh Rathod. Ye sab tum hi kar sakte ho. Ye tum hi ho nishchal jisne mujhe is jhoothe case me fansaya hai. Tum hi kahte the ki “tumhara PS ka record main achha nahi hone doonga. Main tumhe jyada din yaha tikne nahi doonga. Main tumse apni beizzati ka badla lekar rahunga.” To tumne itni ghatiya harkat karke mere sath apni dushmani nikali hai. Main tumhe chhodungi nahi. Tumane bahut badi galti kar di hai Nischal singh. Iski kimat tumhe chukani padegi.


(Wo kahte hain na ki jab insan par koi musibat aati hai to wo aksar dimag se sochna band kar deta hai. Yahi haal Sarita ka bhi tha. Use ulti sidhi baate yaad aa rahi thi jo nishchal ne usase kahi thi.)


Ye sab sochkar uska gussa satve aasman par pahuch gaya tha. Usne turant Mohit ko phone kiya aur Nischal ka address send karne ko kaha. Mohit ke poochne par ki unhe Sir ke Address ki kya jaroorat pad gayi. To Sarita Mohit par bhi bhadak gayi. Sarita ka garam dimag dekhkar Mohit ne Nischal ka Address Sarita ko text kar diya.


Sarita ne cup kitchen me rakha aur car ki chavi lekar Mohit ke bataye huwe Address par nikal gayi. kuchh hi der me wo Us address par pahuch gayi. Sarita ne car bahar hi khadi ki. wo apni car se utar kar dandanati hui andar ki taraf jane lagi. Aawas ke bahar surakshaguard ne Sarita ko rokte huwe kaha.


S.G. Aap kaun hain aur andar kahan ghusi ja rahi hain.


Sarita ne use apna ID Card dikhaya to SG ne use selute kiya. Sarita ne kaha.


Sarita- Mujhe Nishchal Sir se milna hai.


SG ne Sarita ko aage jane diya. Sarita aage badh gayi aur jaise hi ghar me ghusne ko hui use ek naukar dikhai diya. Sarita ne usase Nishchal ke bare me poochha to naukar ne balcony ki taraf ishara karte huwe bata diya ki nishchal waha bahithe huwe hain.


Sarita ne use Thanks bolkar balcony ki taraf chali gayi. jab wo balcony par pahuchi to usane dekha ki nishchal shan se kursi par baitha chaai pite huwe paper padh raha hai. Sarita gusse me thi hi usne uske najdeek jakar chillate huwe kaha.


Sarita- Aapki himmat kaise hui is tarah ki ghatiya nich aur giri hui harkat karne ki.


Kisi ke apne upar chillane ki aawaz sunkar usne Nischal ne jab aawaz ki disha me dekha to wo Sarita ko waha par dekh kar chauk gaya aur bola.


Nishchal- Tum. Tum yaha Kya kar rahi ho. aur tum itna chilla kyo rahi ho.


Itna kahkar nischal chaai ka cup liye huwe hi uske paas aaya. Jaise hi nischal Sarita ke kareeb pahucha. Sarita ne do jhannatedar thaappad uske galo par laga diye. Thappad Sarita ne poori takat ke sath lagaya tha. Jiski ghoonjh door tak sunai di.


Nishchal bhale hi mazboot kad kathi ka naujawan tha. Lekin Sarita ka thappad bhi bahut jordar tha. Jisne Nishchal ke jabde ko hilakar rakh diya. chaai ka cup hantho se chhootkar door jakar gira aur toot gaya. Nishchal ki aankho ke samne pal bhar ke liye to andhera hi chha gaya. Wah apne dono hanth apne galo par rakhkar sahlane laga.


Use samajh me nahi aa raha tha ki ab usne kya kar diya jo Sarita ne use thappad mara. Wo bhi Bina galti ke doosri baar. Nishchal ko Sarita ke upar bahut gussa aaya. Usne Gusse me aakar Sarita ki baanh pakad li aur use dhakelte huwe pichhe ki deewar se sata diya aur garajate huwe bola.


Nishchal- tum pagal ho kya. Dimag se khidki hui ho kya. Tumhari himmat kaise hui mujhe thappad marne ki. Aakhir tumhari problem kya hai. Jab bhi milti ho tabala samajhkar baja deti ho. Aakhir tumhein mujhse dikkat kya hai.


Nishchal ne Sarita ki baanh bahut kaskar pakadi thi. Jisase Sarita ko dard hone laga tha. To Sarita ne apne dono hanth uske sine par rakha aur poori takat se Nishchal ko pichhe ki taraf dhakel diya aur gusse me nishchal se kaha.


Sarita- Wahi to main jan-na chahti hoon. Aakhir aapko mujhse problem kya hai jo aapne mere sath aisi giri hui aur ghatiya harkat ki hai.


Sarita ki baat sunkar Nischal ne gusse se Sarita ka hanth pakada aur use modkar uski pith par laga diya. aisa karne se nischal ko Sarita ke aur kareeb aana pada. Jiske karan dono aapas me lagbhag satkar khade huwe the. Dono ki sanse ek doosre ke chehre par pad rahi thi.


Sarita ne ek baar chhutne ki koshish ki lekin Nishchal ki pakad mazboot thi, isliye wo apne aapko chhuda na saki. Dono ke chehre par gussa saff dikhayi de raha tha. Sarita gusse se bina kisi darr ke Nishchal ki aakho me aanikhe dalkar khadi hui thi. Nishchal ne Sarita ki aankho me dekhte huwe kaha.


Nischal- Tum apne aapko samajhti kya ho. tum koi top ho. aur tum mujhko kya samjhati ho ki main koi sadak chhaap gunda hoon. Ya koi sadak chap majnu hoon. Ki jab tumhara man kare aakar mujhe thappad laga deti hoo. Tumhare dimag ka ekadh nat dhila ho gaya hai kya. Jo tum paglo jaisi harkat karti rahti ho. us din market me bhi maine tumhe janboojhkar nahi chhuwa tha. Wo galti se mera hanth tumhari kamar ko lag gaya tha.

Main yahi tumhe batana chah raha tha, lekin tumne to mujhe bolne ka mauka hi nahi diya. tumne sahi galat jane bina hi mere galo ka tabla baja diya. maine didi ke kahne par tumhe maaf kar diya tha us galti ke liye, lekin tumhe to main hi dikhta hoon thappad marene ke liye. Mujhe thappad marne ke liye tum mere quarter par chali aayi. Tumhari aaj ki galti ke liye main tumhe bilkul maaf nahi karunga. Iski saza to main tumhe jaroor doonga aur har haal me doonga.

Sarita- (Nishchal ki aankho me dekhte huwe) waah waah, itna sabkuchh karne ke baad dekho kaise anjan ban rahe ho. aapka ye natak mere samne nahi chalne wala. Main achhi tarike se jaan gayi hoon ki mujhe aapne fansyaa hai aur ab aise anjan ban rahe ho aap jaise aapne kuchh kiya hi nahi. Sari galti meri hi hai jaise. Aap itni ghatiya harkat kaise kar sakte hain.

Nishchal- Apni bakwas band karo tum. Kab se sun raha hoon ki aisi ghatiya harkat main kaise kar sakta hoon. Aakhir maine kiya kya hai. Are Main us din tumse milne ke baad training ke liye Agra chala gaya tha Aur aaj subah tadke lautkar aaya hoon. Main chai ki chuski lekar apne safar ki thakaan mita raha tha Aur aate hi tumne mera Swagat thappad se kar diya. aakhir tum ye sab karke sabit kya karna chahti ho.


Itna kahkar Nischal ne Sarita ka hanth aur kaskar pakad liya aur mod diya. jisase Sarita ko dard hone laga to usne nishchal ko ghoorte huwe kaha.


Sarita- Mujhe dard ho raha hai. Mera hanth chhodo.

Nishchal- Bilkul bhi nahi chhhodunga. Bahut badi lady don samajhti ho na tum apne aapko to khud hi chhuda lo.

Sarita- Mera hanth chhodo nahi to main shor macha dungi aur logo ko bataungi ki aapne mere sath badtamizi karne ki koshish ki.

Nishchal- (hanth ko aur modte huwe). Waah Waah, Ulta chor kotwal ko date. Badtamizi maine nahi ki tumhare sath. Balki tumne ki mere sath. Ab to main bilkul bhi tumhara hanth nahi chhodunga.


Itna kahkar nischal aur bhi kareeb chala gaya Sarita ke. Sarita ne dard ke karan jor se chillana shuru kar diya to nischal ne Sarita ke munh par hanth rakh diya. ab setuation ye thi ki. Nishchal ka Chehra Sarita ke chehre se 6 inch ki doori par tha.


Nishchal ne apne ek hanth se Sarita ke ek hath ko pakadkar uski kamar par lagaya tha aur ek hanth Sarita ke munh par tha. Munh par hanth rakhen se sarita Nischal ki aankho me dekhh rahi thi aur Nischal Sarita ki aankho me. Sarsari nigah se dekhne par dono ko Sabhi premi joda hi samjhenge.


Sarita ki cheekh ne apna kam kar diya tha. Apne ghar mein ladki ki cheekh sunkar Nischal ki didi Savita ( jise gharwale pyaar se Savi kahte hain) waha par aa gayi aur in dono ko is position me dekh liya. Savita ne dono ko dekhte huwe kaha.


Savi- Ye kya ho raha hai yaha par.


Savita ki aawaz dono vastvik sthithi me aaye. Wo jis tarah se khade the uska ehsas hote hi dono asahaz ho gaye. Nishchal ne Ek jhatke se Sarita ka hanth chhod diya aur pichhe hat gaya. Sarita apne hath ko aage kar apne doosre hanth se use sahlane lagi. Sarita ka hanth sakhti se pakde jane ke karan wo laal pad gaye the. Dono chupchap apni gardan jhukaye huwe khade the. Koi jawab na milne ke karan Savita ne fir se kaha.


Savi- maine tum dono se kuchh poocha. Yaha par kya chal raha tha abhi aur tum kaun ho.

Nishchal- Mujhe nahi papa di. ye ladki pagal lagti hai. Ye pata nahi kis baat ka gussa mere upar nikal rahi hai.

Sarita- Main koi pagal nahi hoon. Aapne jo kuchhh kiya hai mere sath uske baad to gussa nahi aur bahut kuchh karna chahiye aapke sath.

Nishchal- Are yaar maine kya kiya hai. Tum baar baar mere upar aise ilzam nahi laga sakti. Main jab tumse bol raha hoon ki main Agra gaya huwa tha. Do ghanta pahle hi lautkkar aaya hoon ghar. Agar tumhe meri baat ka bharosha na ho to di se pooch lo.


Nischal ki baat sunkar Sarita ne Savita ki taraf dekha to Savita ne kaha.


Savi- Haan ye baat sahi hai. Ye 4-5 din baad Agra se Kuchh ghanta pahle hi lautkar aaya hai, lekin huwa kya hai pahle mujhe wo to batao.


Sarita- di. Inhone mujhe……

Nishchal- (baat bich me katkar) Wo tumhari di nahi hain Miss Joshi. Isliye tum meri di ko di nahi bol sakti.

Sarita- Kyon nahi bol sakti. Aapne koi patent nahi karaya huwa hai di ka. Main inhe di hi bolungi.

Nishchal- Maine ek baar bol diya na ki tum meri di ko di nahi bol sakti. wo sirf meri di hain. Tumhari nahi.

Sarita- Main inhe di hi bolungi chahe kuchh bhi ho jaye. Aapko jo bhi karna hai kar lo.

Nishchal- (gusse se) tumhari to main……..


Savita dono ki tu-tu main-main ka maza leti hui muskura rahi thi. Kuchh der inki tu-tu main-main ka chatkara lene ke baad Savita ne jhootha gussa dikhate huwe kaha.


Savi- ho gaya tum dono ka. Maine kuchh poochha hai tum dono se. lekin mujhe uska jawab abhi tak nahi mila hai

Sarita- di. Inhone mere khilaaf rishwat lene ki report darj karwai hai. Jiske base par kal mujhe jhoote case me rishwat lete huwe fansa diya hai inhone.


Sarita ka baat sunkar Nishchal uchhal pada. Aur Sarita ko ghoorne laga. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Kyaaa. Tum pagal wagal ho gayi ho kya. Tumhara dimag to thik hai na. tum kya bol rahi ho kuchh samajh me aa raha hai tumhe. Main bhala aisa kyon kaurnga tumhare sath.

Sarita- Ye sab aapne mujhse apna badla lene ke liye kiya hai. Aap hi to bol rahe the ki main tumhara PS ka record kharab kar doonga, Main tumhe jyada din PS me tikne nahi dooga, Main tumse apna badla lekar rahunga. Aur aaj aapne wo kar diya.

Nishchal- (apne sir par hanth rakhkar) He bhagwan. Main sach kahta hoon. Tumhare dimag ka nat bolt dheela ho gaya hai. Tum Sach me padhkar hi is naukari me aayi ho ya rishwat deka is naukari ko paya hai tumne.

Sarita- (gusse se) How dare you. Aap apne aapko samajhte kya hai. Kya kewal aap padhai karke aaye hain aur sab rishwat dekhar aaye hain. Maine is naukari ko pane ke liye apne Jeevan ke do sal samarpit kar diye hain aur aap mujhse aisi baat kar rahe hain.

Nishchal- Iska matlab to yahi huwa ki Selection Committee ne tumhare dimag aur tumhari kabiliyat dekhkar hi tumhe is job ke liye chuna hai to miss Joshi. Apne us chhote se dimag ka upyog kabhi kabhi Sochne ke liye bhi kar liya karo. Jab dekho tab lady don bani firti rahti ho. Tumhe lagta hai ki main itna cheep kam kar sakta hoon wo bhi tumse badla lene ke liye. mere paas bahut se raste hain tumse badala lene ke liye.


Nishchal ki baat sunkar Savita muskurane lagi. Sarita use ghoorkar dekhte huwe boli.


Sarita- Main kaise maan loon ki aapne kuchh nahi kiya hai. Mujhe to aap ke upar hi poora shak hai.

Savi- Tum dono fir se shuru ho gaye. Tum dono to ekdam tom and Jerry ki tarah lad rahe ho. tum dono ab itne bhi bachhe nahi ho ki is tarah se ladai karo. Dono kisi se kam nahi hain. Ab tum dono apni ye tu-tu, main-main band karo. Waise kya nam hai tumhara Miss joshi.

Sarita- Sarita joshi nam hai mera didi.


Sarita ki baat sunkar Savita uske paas aai aur uske galo ko sahlate huwe boli.


Savi- Bahut pyara naam hai tumhara. Chalo mere sath baitho. Maine chaai banayi hai. Tum chaai pikar jana. Tum pahli baar hamare ghar aayi ho. aur to aur ab to tumne mujhe didi bhi bana liya hai to chalo kuchh der mere sath baith kar baat hi kar lo.


Sarita Savita ki baat sunkar uske sath chali gayi. Savita ne Sarita ko apne kamre mein baithakar kitchen me chali gayi aur do cup chaai lekar apne kamre me aa gayi. ek cup Sarita ko de diya aur uske bagal me baithkar chaai ki chuski lete huwe boli.


Savi- Ab batao ki poorii baat kya hai.


Sarita ne Savita ke poochne par sari baat bata di rishwat ki complain se lekar raat me Pradhan ke chhape tak ki baat jise sunne baad Savita ne kaha.


Savi- Ye to sachmuchh bahut hi bura huwa tumhare sath. Lekin Yakin mano Nishu aisa nahi hai.

Sarita- (sochte huwe) ab ye is mamle me nishu kaha se aa gaya.

Savi- (Muskurati hui) Are main Nishchal ki baat kar rahi hoon. Ghar me wo mera bahut pyara hai main use pyaar se nishu kahti hoon. To main bol rahi thi ki main nishu ko bahut ache se janti hoon. Wo mujhse koi baat nahi chhupata. Usne aisa kuchh nahi kiya hai. Uski baat ka nahi to kam se kam meri baat ka to bharosha karo tum.

Sarita- Lekin agar Sir ne nahi kiya ye sab to fir kisne kiya ye mere sath. Kahi maine jise pakadkar jail me dala tha usne to nahi kiya ye sab.

Savi- Tum bilkul bhi pareshan mat ho. main nishu se baat karti hoon. Wo meri bat nahi talega. Main usase bolungi ko wo tumhe is case se baizzat bari karwaye. Tum fikar mat karo.

Sarita- Aap rahne dijiye didi. Wo mujhse pahle si hi gussa hain aur badla lena chahte hain. Kahi wo is case se mujhe bari karwane ki jagah fansa na de.

Savi- Tumhare paas aur koi rashta hai kya. Jisase tum is case se bach sakti ho. hai to batao aur agar nahi hai to meri baat par bharosha karo. Main tumhe vishwas dilate hoon ki tumhe kuchh nahi hoga. Main nishu se baat karti hoon.

Sarita- Thank You didi. Ab main chalti hoon. Mujhe kuchh jaroori kaam hai.

Savi- (Muskurate huwe) Galat baat hai ye Sarita. Didi ko thank youn nahi bolte. Ek kaam karo Sarita. Tum mujhe apna no. de do. Main tumhe is case ke baare me update karti rahoongi.


Sarita apna phone NO. Savita ko dek-kar nikal jati hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Top