Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

expectations
22,825
14,868
143
Nice update dost sarita ke thappad kuch jada hi chal rahe hain yaar aise kaam nai chalega
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Nice update dost sarita ke thappad kuch jada hi chal rahe hain yaar aise kaam nai chalega
धन्यवाद आपका महोदय।।
अब आगे से ऐसा नहीं होगा इस बात का ध्यान रखेंगे।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 21


Sarita bhi apne kamre ma jakar so gayi. Subah uthakar har kam se finish hokar nashta karke Sarita PS pahuch gayi. Waha par Sarita ne dekha ki Mohit aur Javed kisi baat ko lekar gahan vichar vimarsh kar rahe the. Jab Sarita Unke paas pahuchi to wo dono chup ho gaye. Sarita ko dekhte hi dono ne ek sath Sarita se kaha.


Mohit & Javed- Good Morning Madam.

Sarita- Very good morning both of You. Aaj to mera din hi ban gayaa jo dono ke subah subah ek sath mein darshan ho gaye. Kya baat hai dono bahut gahri mantrana kar rahe the. Lagta hai kisi mahatvapurna Mudde par charcha ho rahi thi, isliye mujhe dekhte hi dono chup ho gaye.

Mohit- Nahi madam aisi koi baat nahi hai main to bas aise hi javed ke sath bat cheet kar raha tha.

Sarita- Achha thik hai. Main apne cabin me jati hoon. Tum logo ki charcha agar samapt ho gayi ho to tum dono bhi apne kam par dhyan do.

Javed- Ji madam.


Itna kahkar sarita Apne cabin me chali gayi. Sarita ne Kaushal ko apne cabin me bulakar use samjha diya ki jab Mohit akela ho to use inform kare. Dopahar ko Javed ko kisi ka phone aaya to wo PS se bahar chala gaya. Kaushal ne Sarita ko inform kar diya ki Mohit akela hai to Sarita ne mohit ko apne cabin me bulaya. Mohit Sarita ke cabin me gaya Sarita ne use baithne ka ishara kiya, Mohit Ek kursi par baith gaya aur bola.


Mohit- JI madam aapne bulaya mujhe.

Sarita- Haan mohit ji mujhe tumse kuchh bat karni hai.

Mohit- Ji madam kahiye.

Sarita- Dekhiye mohit ji. Javed ne mujhe sabkuchh bata diya hai. To ab main chahti hoon ki aap bhi mujhse koi baat na chhupaye aur sach sach bataye.

Mohit- (hadbadate huwe) Kaun si baat Madam, Mujhe to kuchh pata hi nahi hai. Aap kya baat kar rahi hain.

Sarita- Dekhiye Mohit ji. Main apne case ke bare me aapse baat kar rahi hoon. Mujhe ye to pata chal chuka hai ki budhi dadi ko aapke sir ne kaha chhupakar rakha hai. Iske baare me Javed ne kal mujhe sabkuchh bata diya hai. Kal aap aaye nahi the, isliye aapko iske baare me kuchh pata nahi hai.

Mohit- (Chaunk kar) Kyaa… Javed ne aapko sabkuchh bata diya. Vishwas nahi hota. Lekin usne to mujhe is bare me kuchh nahi bataya.

Sarita- Kyonki maine hi use mana kiya tha ki main tumse khud is bare me baat karungi wo tumhe kuchh bhi na bataye. Ab agar aapne mujhse kuchh bhi chhipane ki koshish ki to main DSP Sir ko bol dungi ki aap logo ne mujhe mere case se sambandhit sari information de di hai.

Mohit- Kyaa. Ye kya kah rahi hain aap madam. Aap mujhe bich me kyon la rahi hai. Aapko bataya to us javed ne hai to mera nam kyon Sir ko bataengi aap.

Sarita- To isiliye main aapse pooch rahi hoon ki aakhir mere case solve kaise huwa. Aur wo buddhi dadi mili kahan Sir ko. Javed ko to main bacha lungi, kyonki uska nam main lungi hi nahi sir ke samne. Bache aap. To aap apne bare me khud soch lijiye. Ki agar sir ko pata chala ki aapne mujhe sab bataya hai to wo aapka kya hal karenge.

Mohit- Lekin ye to galat hai madam. Aap javed ki sabhi galat ka thikra mere sir kyon fodna chahti hain.

Sarita- Sahi galat ka mujhe kuchh nahi pata mohit ji. Agar aapne mere sath co-oprate kiya to main Sir ko kuchh nahi bataungi. Is tarah ye baat ham tino ke bich me hi rahegi. Ab batao Sachhai kya hai.

Mohit- Thik hai Madam main batata hoon aapko. In sab ke pichhe bacha Singh ka hath tha. Usi na sabkuch kiya tha. Aapne aadmiyon se apki khilaf rishwat ki false complain darz karwai. Usme jo bhi pata aur naam tha. Usme kuchh pate hi galat the. Aur jo pate sahi the waha par complain karne wale naam ka koi aadmi nahi mila.

Sarita- Bachha singh. Achha haan Javed ne mujhe bataya tha ki in sabke pichhe bacha singh ka hath hai. Usi ne mujhe fansane ke liye ye sab kiya hai, lekin mujhe ye samajh me nahi aa raha hai ki usne mujhe jhoothe case me kyon fansana chaha.

Mohit- Wo kya hai madam ki aapki wajah se uske kam me bahut nuksan ho raha tha. Usne do baar aapko do-do lakh Rupaye dene ki koshish ki thi lekin aapne wo rupaye uske munh par maar diye the. Isliye wo aapse bhinnaya huwa tha aur aapko apne raste se hatana chahta tha. Taki uska karobar fir se pahle jaisa chalne lage.


Wo yaha ka bahut bada gunda hai. Apne karobar ke bich me aane wale kisi bhi insan ko apne raste se hatane ke liye wo kisi bhi had tak ja sakta hai. Sabhi usase darte hain. Isliye Sir nahi chahte the ki aap is sab pachdo me pado. Jaisa ki maine abhi bataya ki wo apne kam me rukawat ban-ne wale ko apne raste se hatane ke liye kisi bhi had tak ja sakta hai. Khoon kharaba uske liye nayi baat nahi hai. Isliye Sir nahi chahte the ki aapki jaan ko koi Khatra ho. Isliye Unhone Kaha hai ki wo Khud hi ye case handle karnege. Aur aapko batane ke liye Sakhti se mana kiya tha.


Mohit ne ye sari baate ek hi sans me jaldi jaldi bata di. Jise dunkar Sarita kuchh der sochti rahi fir Mohit se boli.


Sarita- Achha Mohit ji. To kya dadi bhi Bachha singh ke paas hi hai abhi bhi.

Mohit- Nahi Madam, Use to Sir ne Yaha se Kuchh hi doori par Ek kamre me chhupa kar rakha huwa hai. Kyonki unhe bahut sare logo se bacha kar rakhna hai aage ki Investigation ke liye.

Sarita- ( bholepan ke sath) Kisase bachakar rakhna hai ab dadi ko. Ab to case solve ho chuka hai.

Mohit- dadi ko bacha singh se bachakar rakhna hai aur aapse bhi.

Sarita (Hairani se) Kya Mujhse. Lekin mujhse kyon. Bachha singh ka to samajh me aata hai, ki kahi wo dadi ko koi nuksan na pahucha de, lekin mujhse kyon. Main to unhe koi nuksan nahi pahuchaungi.

Mohit- Kyoki sir nahi chahte ki aapki jaan ko khatra ho, kyonki Agar aapko pata chal jata ki dadi kaha hai to ab tak aap fir Investigation karne baith jati. Jo Sir nahi chahte the.

Sarita- Aur Sir na Jahan par dadi ko chhupakar rakha hua hai wo uska address kya hai.

Mohit- Yahan se aage jane par agle chawk se left lekar 1 K.M. aage ………………….. is Address par Sir ne dadi ko rakha hai.

Sarita- Ohhh. Thank You Mohit ji. Aapne bhi wahi bataya jo Mujhe javed ne bataya tha.

Mohit- Isme thanks ki kya baat hai madam. Ye to mere farz hai, lekin ek baat mujhe samajh me nahi aayi ki jab javed ne aapko sabkuchh bata diya tha to aapne wahi baat mujhse kyon jan-na chahi.

Sarita- Main ye dekhna chahti thi ki Javed ne mujhko kitna sahi aur kitna galat bataya hai, lekin tumhari baate sun-ne ke baad to ye confirm ho gaya ki javed ne poori bate sach hi batai thi. Ab tum jao aur apna kam karo.


Mohit Sarita ke cabin se bahar aa gaya. Thodi der baad jab javed PS wapas aaya to Mohit uspar bhadak gaya aur bola.


Mohit- Tumhare pas dimag hai ya nahi. Kya jaroorat thi tujhe madam ko sab kuchh batane ki.

Javed- (Sochte huwe) Are bhai maine kya bataya madam ko jo tu mere upar bhadak raha hai.

Mohit- Bhadku nahi to aur kya karu. Tune case ke bare me madam ko kyon bataya.

Javed- (sochte huwe) Are bhai kis case ki baat kar raha hai jiske bare me madam ko maine bataya hai.

Mohit- Madam wale Rishwat ke case ki baat kar raha hoon main.

Javed- Maine unhe kuchh nahi bataya.

Mohit- Dekho Javed ab jhooth bolne se koi fayada nahi hai. Mujhe madam ne sabkuchhh bata diya hai ki tumne unhe case ke bare me sabkuchh bata diya hai.

Javed- Are mere bhai. Maine madam ko kuchh nahi bataya. Kal jab tu nahi aaya tha to madam ne mujhe apne cabin me bulaya tha case ke bare me poochne ke liye, lekin maine ek bhi information madam ko nahi di. Kyonki Sir ne Madam ko kuchh bhi batane ke liye mana kiya hai.

Mohit- Ye kya baat kar raha hai bhai tu. Madam ne hi to mujhse kaha ki tumne unhe ek ek baat sach sach bata di hai.

Javed- (Chaukte huwe) Ek minute… Kahi tumne to madam ko sari bate nahi bata di hai.

Mohit- (afsos ke sath) Yaar mujhse bahut badi galti ho gayi hai. Main itna bada bevkoof kaise ho sakta hoon. Mujhe sochna chahiye tha ki madam ko agar tumne sabkuchh bata diya hota to madam ab tak investigate mein lag gayi hoti. Ohhhhh siittt yaar. Maine itni badi galti kaise kar di. Madam ne mujhe apni bato me fansakar sara sach ugalwa liya. Aur main ugalta chala gaya.

Javed- (Tez Aawaz me) Kyaaaa. Tune itni badi galti kaise kar di bhaiii. Kam se kam ek baar mujhse puchhh to liya hota.

Mohit- Tu bahar gaya tha PS se. tabhi madam ne mujhe bulaya tha.

Javed- Ohhhhh. Ab to gaye kaam se. Mujhe ab Samajh me aaya. Waise man-na padega madam ke dimag ko. Kaise unhone tumhe convince kar liya apni bato me aur tumse jhooth bola ki maine unhe sabkuchh sach bata diya hai. Taki tum unhe sabkuchh sach sach bata do. Isliye Unhone tumhe Us samay bulaya jab main PS me nahi tha. Taki Tum Mujhse pooch bhi na sako iske bare me.


Javed ki baar sunkar mohit apna Sir pakadkar baith gaya aur bola.


Mohit- Are yaar ye kya ho gaya. Main itna bada bevkoof kaise ho sakta hoon. Mujhe ek baar madam se poochna to chahiye tha ki Javed ne aapko kya bataya hai. Siiitttt yaaarrr.

Javed- Sahi kaha. Agar maine unhe sach me kuchh bataya hota to wo tumse poochhti hi nahi aur agar poochhti bhi to mere samne tumse poochti. Madam to bahut chalak nikli.

Mohit- Ab kya kare yaar. Agar Sir ko is baat ka pata chal gaya ki maine Madam ko sabkuchh bata diya hai to wo mujhe chhodenge nahi.

Javed- Ab jab Okhli me mundi dal hi di hai to musal se kyon dar raha hai. Ab kuchh bhi nahi ho sakta. Dekhte hain aage kya hota hai.


Mohit ko apni bevkoofi par itna gussa aa raha tha ki unsne apna hanth table par de mara.

**********

Usi vakt Shahar se door Usi khandhar numa makan me jaha par Bachha ka adda tha. Bachha, Kaluwa ke sath baith kar baate kar raha tha. Uske sath Raka aur Sambhu bhi the.


Kaluwa- I ham ka sun rahe hain Bachha bhai. U laundiya Fir se Naukari par aa gayi hai.

Bachha- Haan Sahi sune ho tum. Usne fir se naukari join kar li hai.

Kaluwa- Lekin bhai. Aapne to Oke Rishwat ke jhoothe case me fansa diya tha. Aur U pardhanva ne oke Range hantho pakad liya tha. Fir Ei kaise hoi gawa.

Bachha- Pata nahi ye kaise ho gaya Kaluwa. Lekin Suna hai ki Uske yaarr Us DSP ne Use begunah Sabit kar diya. Lekin ye samajh me nahi aa raha hai ki usne Us laundiya ko begunah sabit kiya to kaise kiya.

Raka- (bich me) Mai baap- wo DSP Us laundiya ka yaar nahi hai. U dono jani dushman hain. Dono ki bilkul bhi nahi banti. To wo DSP us laundiya ko kyon begunah sabit karega.

Bachha- Achha. Tujhe kaise pata ki U DSP Laundiya ka yaar nahi hai.

Raka- Maai baap. Police thana me thodi bahut jaan pahchan hamari bhi hai. To hamka is bare me thodi bahut jankari mil gayi ki Un dono me bilkul bhi nahi banti.

Bachha- Achha. Fir usne Kyon bachaya Us Ladki ko.

Sambhu- Kyon nahi bacha sakta hain wo DSP Us ladki ko malik. Bale dono me kitni bhi dushmni ho lekin apne dusman ko sikast khud ke hantho se dene ka maza hi kuchh aur hota hai. Shayad yahi sochkar Us DSP ne Use bacha liya hoga.

Kaluwa- Haan be. Tohre E baat me bam baa. Jaroor Yahi baat hogi.

Bachha- Lekin Usne begunah sabit kaise kiya. Kahi aisa to nahi hai ki wo budhiya us DSP ke hanth lag gayi ho aur usne sab sach ugal diya ho. Agar us budhiya ne aisa kiya hoga to wo bahut pachhtayegi. Sambhu. Pata kar ki wo budhiya kaha par hai wo jaha bhi mile use lekar mere paas aa.

Kaluwa- Chalo E sab to hota rahega bhai, lekin ab E batava ki Ab aage kya karna hai. U nayi Inspetarain bahut Sakht jaan ba. Agar jaldi okre ke apne raste se na hatawa gaya to apna karobar to band hi samjho.

Bachha- Aaisa kuchho nahi hoga Kaluwa. Main koi na koi rasta nikal lunga. Maine to socha tha ki khoon kharaba se koi matalab nahi nikalega. Khoon kharaba to aakhiri upay hai, isliye maine mamla is tarah suljhane ki koshish ki thi, lekin lagta hai ki us laundiya ki Zindagi ke din khatam ho chuke hain. Uska bandobast karna hi padega. Lekin Abhi hamko Sarkar aur Boss ne kuchh din shant Rahne ke liye kaha hai, Isliye abhi kuchh din kuchhh hone se rha aur Sath me abhi Raghu bhi bahar hai. Ab jo bhi karega Raghu hi karega. Bahut din ho gaya hai bhaai ko kisi ka murdar kiye huwe. Us ladki ki maut Raghu bhai ke hi hantho hogi.

Kaluwa- Sahi kaha bhai. Raghu bhai bahut berahami se marte hain. Bahut maza aayega.


Itna kahkar kaluwa hansne lagta hai uske sath sath Bachha, Raka aur Shambhu bhi hansne lagte hain.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
UPDATE- 01


Bachpan ke Lekar Jawani tak ke kuchh ansh.


Allahabad shahar ke ek chhote se kabse mein Aanand Joshi apni patni Raani Joshi ke sath rahte the. Jo Lower Middle Class se belong karte the. Unka khud ka auto riksha tha jise chalakar wo apna aur apne pariwar ka gujara karte the. Wo jis makan me rahte the wo 3 kamre ke makaan tha jise unke pitaji ne banwaya tha. Jinki kuchh samay pahle hi mrityu ho chuki hai. Maa to bachpan me hi chal basi thi.


Pita ki mrityu hone ke baad eklauti santan hone ke karan unki sari jyayjat Aanand ji ke naam ho gayi. Aanand ji ek beta aur do betiya thi. Badi beti ka naam Sarita, Chhoti beti ka naam Manisha aur unke pyare bete ka naam Abhishek tha. Aanand Joshi ke Betiyo ki umar me 2 se 2.5 sal ka anter tha. Lekin Abhishek Sarita se 4 varsh bada tha. wo thoda gusse wala aur chhoti si baat ko dil par lagaa lene wala ladka tha. uski padhai bhi der me shuru hui. Padhaai me abhishek kamjor hi sabit huwa.


Abhishek Dono bahano se bada tha Aur beta hone ke karan apni maa ka ladla tha. Aisa nahi tha ki Mr. aur Msr. Joshi ko apni betiyon se pyaar nahi tha. Wo apni betiyon se bhi bahut pyaar karte the, lekin akela beta hone ke karan wo unka ladla tha. Unke sath sath Abhishek dono bahnon ka bhi ladla bhai tha. Dono bahane Hamesha Abhishek ke age pichhe Ghumti rahti thi. Abhishek class 6 mein, Sarita claas 4 mein aur Manisha class 1 mein padhti thi. Abhishek maa baap ke jyada lad pyaar ki wajah se thoda bigad gaya tha aur ladai jhagda bhi karne laga tha.


Ek din english ki class chal rahi thi aur Abhishek baitha hua apni copy me kuchh bana raha tha . Abhishek padhai likhai mein bhale hi kamjor tha, lekin Abhishek ki drawing Apni umar ke Aur bachho ke mukable bahut Aachhi thi. Padhaai likhaa se jyada uski ruchi drawing mein thi. Tabhi teacher ki najar Abhishek par padi. Unhone Abhishek se kaha.


Teacher- Abhisehk. Ram ne Shyam ko khane ke liye 2 Aam diye. Iska Angrezi me anuwad karo.


Lekin Abhishek to apni hi dhun mein drawing kar raha tha. Usne jaise teacher ki baat suni hi nahi ho ya sunkar bhi ansuna kar diya ho. Teacher Abhishek ke paas aa gaye ye dekhne ke liye ki Abhishek kya kar raha hai. Abhishek teacher ko apne paas khada dekh kar apni drowing chhupane laga. Teacher ne uske hanth se paper cheen liya Aur bole.


Teacher- Abhishek. Kya kar rahe ho. Aur ye English ke subject me tum ye drawing kar rahe ho.

Abhishek- wo sir main to wo….

Teacher- Achha to tum mujhe bana rahe the. Waise drawing to tum bahut achhi karte ho, lekin ye drawing ki class nahi hai. Ek to tum padhai me itne kamjor ho aur upar se class me bhi padhai par dyaan dene ke bajay drawing bana rahe ho. Meine tumhe kitni baar manaa kiya hai lekin tum ho ki mante hi nahin ho. Isliye tum bench par khade ho jao. Aur meri class khatam hone tak bench par hi khade raho.


Teacher ne Drawing dekhte huwe muskurate huwe kaha, kyonki Abhishek ne sach me drawing Achhi banai thi. Bas thodi bahut kami thi. Abhishek ne unka kaan aur naak kuchh lamba aur bada kar diya tha, jise dekhkar teacher ke chehre par muskan fail gai thi.


ABhishek ko punishment dekar teacher fir se bachho ko padhane lage. English ki class khatam ho jane ke baad teacher bahar chale gaye to Abhishek ki punishment bhi khatam ho gayi. Wo apni jagah par wapas baith gaya. Teacher ke gaye hue kuchh hi der hui thi ki ek ladke ne uski drawing wala paper le liya aur front me jakar khada ho gaya aur bola.


Ladka- Ye dekho Abhishek ne padhai chhod kitni ghatiya drawing banai hai.

Abhishek- meri drawing de yash. De meri drawing.


Lekin us ladke ne Abhishek ki baat nahi mani aur puri class me ghoom ghoom kar Abhishek ki drawing dikhane laga. Uske baad wo apni pen nikalkar uski drawing par apni pen ghumane laga. Jisase Abhishek ki drawing kharab ho gayi.


Drawing kharab karne ke baad us ladke ne Abhishek ko wo paper wapas kar diya. Apni drawing kharab ho jane par Abhishek ko gussa aa gaya aur usne us ladke ka sir pakadkar 3-4 baar desk par patak diya. jisase uska sir fat gaya aur khoon nikalne laga. Wo ladka jor jor se rone laga.


Ek ladka bhaag kar bahar chala gaya aur principal se Abhishek ki shikayat kar di ki Abhishek ne Yash ka Sir phod diya. Principal Aur kuchh teacher daude daude class me pahuche. To dekha ki yash jameen par apna sir pakadkar bhaitha huwa hai.


Uske sir se khoon nikal raha hai. Wo jor jor se ro raha hai. Abhishek apni seat par baitha huwa chocolate kha raha tha. Principal Sir ko bahut gussa aaya. Wah Ahishek ke paas gaye aur ek jor ka jhapad Abhishek ko rasid kar diya aur bole.


Principal- Ye kya kiya tumne. Iska sir Phod diya aur aaram se baithkar chocolate kha rahe ho. Tumhare andar daya aur insaniyat naam ki koi cheej nahi hai kyaa. Kal tum apne parents ko bulakar lana. Tum jaise shararti bache ko main apne school me nahi rakh sakta.


Principal Sir ne Abhishek ko ghar jane ke liye bolkar Yash ko hospital bhijwaya. Abhishek Akele hi ghar pahucha to uski maa ne usase kaha


Raani ji- Are mera beta. Aaj to badi jaldi Ghar aa gaya. School ki chhutti ho gayi kya. Aur ye tere gaal kyon lal ho gaye hain. Kya tumne fir kisi se ladai Jhagda kiya hai.
Abhishek- Nahi mammy Wo Principal Sir ne mujhe mara. Principal Sir ne meri chhutti pahle hi kar di. Isliye main pahle ghar aa gaya.


Rani ji - Aise kaise maara unhone tujhe. Koi aise marta hai kya bachhe ko. Main baat karungi tere principal se. Chal hanth munh dho le. Main tere liye khana lagati hoon. Tu khaa le. Sarita aur Manisha ko aane ke baad khana khila dungi.


Abhishek ne apni maa ko maar khane ki poori wajah nahi batai. Isliye Rani Principal Sir ke uppar gussa ho rahi thi. Tabhi Abhishek ne kaha.


ABhishek- mummy. Kal principal Sir ne Aapko aur Papa ko school mein bulaya hai kuchh kam se. wo bol rahe the ki agar aap dono unse milne nahi gaye to wo mujhe school se nikal denge.

Rani ji- Tune kuchh ulta siddha to nahi kiya na school me. Jiski wajah se principal Sir aisa bol rahe the.

Abhishek- Nahi mummy. Maine kuchh nahi kiya. Wo yash hai na usne meri drawing kharab kar di thi. Isliye maine use mara. Isi baat ko lekar principal sir ne mujhe mara aur bole ki kal apni mummy papa ko lekar hi school aana.

Raani ji- Thik hai main chalungi tere sath. Dekhti hoon kaise nikalte hain tujhe school se principal Sir.


Thodi der baad school ki chhutti hone ke baad Sarita aur Manisha bhi Ghar aa gaye. Rani ne unhe bhi pyaar se khana khilaya. Khana khakar wo dono so gaye. Sham ko dono sokar uthi aur Apne Bhai Abhishek ke sath khelne lagi. Aanand ji ke Ghar aane ke baad Raat me khane ke samay Rani Ji ne Aanand ji se kaha.


Raani ji- Suniye ji. Kal Abhishek ke Principal Sir ne hame School me bulaya hai. Unhe kuchh jaruri baat karni hai hamse Abhishek ke bare me.

Aanand Ji- Baat kya karni hogi. Isne fir se kisi se jhagda kiya hoga. Isi silsile me unhone bulaya hoga. Ye jaise jaise bada hota ja raha hai waise waise iski shararat badhti ja rahi hai.

Raani ji- Aap to har samay mere bachhe ko hi koste rahte hain. Abhi iska bachpna hai. Abhi agar shararat nahi karega to kya buddha hone ke baad shararat karega kya. Aapko to hamesha mere bete ki hi galti najar aati hai.

Aanand Ji- Tumhare lad-pyaar ne hi ise bigad rakha hai. Aage chalkar kahi aisa na ho ki tumhe apne is lad-pyaar ki wajah se pachtana pad jaye. Abhi bhi samay hai. Use ache aur bure ke baare me samjhao. Meri to wo suntan nahi hai. Agar maar peet kar use kuchh samjhaunga to ho sakta hai wo aur bhi bigad jaye aur jiddi ho jaye. Tumhari sunta hai to kam se kam tumhi use sahi aur galat ke bare me batao.

Raani Ji- Aapko to hamesha mere bete ki hi galti dikhai deti hai. Fir bhi main use samjhaungi. Chalo ab jaldi se khana khatam karo aur so jao. Subah iske school bhi chalna hai.


Uske baad kisi ne koi baat nahi ki aur khana khakar Aanand Ji apne kamre me sone ke liye chale gaye.



Iske aage ki kahaani agle bhag mein..
Bahot hi shaandaar shruwaat huyi kahani ki......
Yun to main aayi thi is sarita ki band bajane par is update ko padhkar dil hi pighal gaya...
so kahani abhi flashback mein hai..... Aur lead heroine manisha aur uski family ko leke suru huyi hai...

aanand aur rani ki family ... thoda hai thode ki jarurat type ki.... Paiso ki thodi bahot kami to hai... lekin isse inko koi sikayat nahi..even ye log ise manege karna bhi jaante hai.... hamesha se achi soch vichaar karte aa rahe aanand aur rani apne teeno bachho ke sath kaafi sukhi jivan bita rahe the... haalaki dono betiya kaafi sujh buj wali hai behad kam umar se hi lekin inka beta thoda ziddi aur sararati hai .. wajah iski maa ka iske prati zyada laad pyar...

Btw school mein jo hua isme sirf ek akele abhishek ki galti nahi thi..... yaha us budhau principal aur us kamine yash ki bhi barabar ki galti thi...
agar usne abhishek ki painting ke sath ye sab na kiya hota to aaj ye haal na hota uska...
aur wo principal.... budhau ne bina baat ki jaanch parakh kiye hi ek chhote se bachhe par hath utha diya...
kyun re ... uske baap ki kamayi khata hai kya , jo aise kaske mara abhishek ko....
Ye budhau principal jarur kisi gandi naali ka kida hoga... :buttkick: bachhe pe hath uthata hai.. teri to aisi ki taisi :chop:
waise yash ka sar hi fod diya abhishek ne to :roflol: koi na ... ab yash uski baat hi nahi sun raha tha,to bichara abhishek bhi kya hi karta... hai na... fod diya sar...

ab sar hi foda hain na, thodi na jaan li hai.. :D
waise ek galti usne bhi ki hai... ghar pe sab kuch sach sach bata dena chahiye tha... sar fodne wali baat chupa di..

well... rani to zyada tention nahi le rahi hai coz abhishek uska ladla hai... par aanand bahot pareshaan hai apne bete ki harkaton ko leke... aur sath hi uski future ko leke bhi...

Khair... sochne wali baat ye hai ki kal principal ke office mein kya hone wala hai..

shaandaar update,shaandaar lekhni..shaandaar shabdon ka chayan aur saath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills komal ji :yourock: :yourock:

Nischal ne abhi tak entry kyun nahi liya :waiting:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
UPDATE- 02


Subah sabse pahle Raani ji ki neend khuli, usne uthkar ghar ki saf safai shuri kar di. Thodi der baad aanand ji uthe. Aur unhone Abhishek, Sarita aur Manisha ko uthaya. Sabhi ne uthkar nahaya aur School jane ke liye taiyar hone lage. Raani ji ne sabhi ke liye tifin pack kiya aur Abhishek ko taiyaar hone me madad karne lagi. Sarita aur Manisha apne se taiyar hone lagi. Ye dekhkar aanand ne kaha.


Aanand ji- Is umar me bhi tum ise taiyar karwa rahi ho, jabki tumhe Sarita aur Manisha ko taiyaar karna chahiye. Tumhe nahi lagta ki tum apne bete ke chakkar me apni betiyon ke sath anyay kar rahi ho.

Raani ji- Are meri dono betiyan bahut samajhdar hain wo apna kham khud kar leti hain, lekin mera beta abhi nadan hai. Bina madad ke ye koi kaam thik se nahi kar paata hai isliye main iski madad kar rahi hoon.

Aanand Ji- Jab tun use khud se kuchh karne dogi tabhi to use kuchh aayega. Bachho se dular karna buri baat nahi hain Bhagyawan, lekin itna bhi dular nahi karna chahiye. Ki unki aadat bigad jaye.

Raani Ji- Aap subah subah fir se shuru ho gaye. Aapko to bas har samay mere bete ko kuchh bhi kahne ka mauka milna chahiye bas. Chalo ab jyada baat mat karo. Yaad hai ki nahi aapko ki hame Abhishek ke School bhi chalna hai principal se milne ke liye.

Aanand Ji- haan yaad hai mujhe aur mujhe pata hai ki principal ne kisliye bulaya hoga. Agar aaj iski koi complain mili to main iski tange tod dunga. Dekh lena tum.

Raani Ji- Thik hai pahle chalo to sahi baad me dekh lenge ki kya karna hai.


Uske baad Abhishek Apni dono bahano ke sath school chala gaya. Thodi der baad Raani ji aur Aanand ji bhi unke School chale gaye aur jakar principal Sir se mile.


Aanand Ji- Namaste Sir, main Abhishek ka papa Aanand. Abhishek ne bataya ki aapne hame bulaya hai.

Principal Sir- Achha to aap hain uske papa, dekhiye mr. Aanand. Ham aapke bachhe ko apne school me nahi padha payenge. Ham usko apne school se nikal rahe hain.

Aanand ji- Lekin baat kya hai sir ji. Usase koi galti hui hai kya.

Principal Sir- Galti nahi Anand ji. Gunaah huwa hai. Aapko pata hai kal ek mamooli bat par isne apni kaksha ke ek ladke ka sir phod diya. Ek to padhaii me bhi bahut kamjor hai. Teacher padhate hain to wo drawing banata rahta hai. Mujhe nahi lagta ki use padhane ka koi fayda hone wala hai. Aise bachhe ko main apane school me rakh kar aur bachho ke liye khatra nahi uthana chahta. Kya pata kal ko wo fir kisi aur ke sath aisa kare.

Aanand Ji- Lekin Sir ji Wo abhi bachh hai. Use itni samajh nahi hai Abhi. Aap Aakhiri baar use maaf kar dijie. Main use samjhaunga. Main aapko bharosha dilata hoon ki aapko dobara shikayak ka mauka nahi milega.

Principal Sir- Dekhie Anand ji. Aapka beta samjhane aur samajhne ki sari sima paar kar chuka hai. Mujhe nahi lagta ki use koi fark padne wala hai, fir bhi main aapko aakhiri mauka de raha hoon. Agar iske baad usne aisa kuchh kiya to main use apne school se nikal donga.

Aanand Ji- Ji bahut bahut dhanyawaad aapka sir. Main use samjhaunga. Aage se wo aisi shararat nahi karega.

Principal sir- Ji jaroor. Aisa ho jaye to bahut achha hai.


Uske baad Aanand Ji aur Raani Ji Principal Sir ke room se bahar aaye aur jakar apni auto me baith kar ghar aa gaye. Gahr aakar Aanand Joshi ne kaha.


Aanand Ji- Dekkh Liya Tumne Bhagyawan. Isiliye main tumhe hamesha samjhata rahta tha ki Use Achhe Sanskar do. Lekin tumne hamesha uska bachpana samajh kar najarandaz kar diya. dekho aaj kya kiya usne. Aaj kisi ek ka sir phoda hai usne. Kal kisi Aur ke sath aisa karega. Fir kya karenge ham.

Raani Ji- Mujhe kya pata tha ki wo aisa kuchh karega. Main to bas use dulaar karti thi. Sochti thi ki dhire dhire khud samajh jaega. Lekin mujhe nahi pata tha ki wo itna bigad jayega.

Aanand Ji- Aaj tum bich me mat aana. Aane do aaj use main Achhe se khabar leta hoon uski.


Itna kahkar Aanand Ji Auto lekar sawari ke liye chale jate hain. School ki chhutti hone ke baad Abhishek Apni dono bahano ke sath ghar aa gaya. Ghar aane ke baad Rani ne Abhishek, Sarita aur Manisha ko khana khilaya aur unhe sone ke liye bhej diya. Sham ko jab Abhishek So kar utha to Rani ne use apne paas baithaya aur pyaar se samjhaya.


Raani.Ji- Beta ye tumne kya kiya School ma. Yash ka Sir phod diya. ye bahut galat hai beta. Agar wo ulta tumhare sath bhi aisa karta to.

Abhishek- Lekin mummy usne meri drawing kharab kar di thi. Isliye maine use mara.

Rani- Lekin Itni Chhoti si baat ke liye tumhe use nahi Marna chahiye beta. Drawing to tum dobaara bana sakte ho, lekin jo tumne us ladke ka sir phoda hai. Isase to usko Dard huwa hoga. Agar use jyada chot lag jati to use hospital le jana padta. Jisase uske mummy papa bahut pareshan hote. Tumne uska sir phod diya hai. Wo school nahi aa payega. Jisase uski padhai ka bahut nuksan hoga. Ladai jhagda karna Achhi baat nahi hain. Agar koi tumhare sath aisa kare to tumhe achha lagega kya. Tumhare mummy papa agar pareshan honge to tumhe achha lagega kya.

Abhihsek- Nahi mujhe bilkul bhi achha nahi lagega.

Raani ji- to fir. Jaise tumko Achha nahi lagega. Waise hi tumne jis lagke ko mara hai usko bhi achha nahi lagega. Kya tum fir aisi saitani karogi. Kisi ko pareshan karogi. Ye galat baat hai. Koi tumhe kuchh kahe to tum koi jawab hi mat do. Kuchh din baad wo tumhe kuchh kahna hi band kar dega. Ek achhe bachhe bankar padhaai karo. Taaki teacher bhi tumse pyaar karein.

Abhishek- Nahi. Main ab kisi ko nahi marunga mummy. Sab ke sath ache se rahunga.

Raani Ji- Ye hui na ache bachho wali baat. Chalo ab jakar padhai karo. Tumhare principal sir kah rahe the ki tum padhai bilkul bhi nahi karte. Din bhar bas drawing hi karte rahte ho. Beta drawing karni achhi baat hai lekin iska ye matlab nahi hai ki tum padhaai karna hi band kar do. Agar padhai nahi karoge to tum fail ho jaoge. Agar tum fail ho jaoge to tumhare papa ko aur mujhe bilkul bhi achha nahin lagega. Agar tum fail ho gaye to papa tumhein marenge bhi.

Abhishek- Nahi mummy. Papa ko bolna ki wo mujhe na mare. Main khub man lagakar padhaai karunga. Aur ahhe number launga.

Raani- Thik hai beta Ager tumm Achhe se padhai karoge to papa tumhe nahi marenge. AB Jao padhai karo. Aur apni bahano ko bhi padhne ke liye bol do.


Raani ji ki baat sunkar abhishek apni kitab lekar padhane baith gaya aur sath me Sarita aur Manisha ko bhi apne sath padhne baitha liya. Lekin abhishek thahra moti buddhi ka ladka, use padhne me bilkul ruchi nahi rahti thi. 10 minute padhne ke baad usne apni penchil aur copy nikali aur drawing banane laga. Use drawing banate dekh Sarita ne kaha.


Sarita- bhaiya Aap padh kyon nahi rahe ho. Mummy ne padhne ke liye bola hai aur aap drawing bana rahe hain. Aise to aap fail ho jayenge.

Abhishek- Main kya karu Sarita. Mujhe padhna bilkul bhi acha nahi lagta. Padhai ke naam par mera sharir kampne lagta hai. Mujhe drawing karna bahut achha lagta hai.

Sarita- lekin bhaiya. Ye to galat hai. Mummy ko jhooth bolkar aap drawing kar rahe ho. Jabki teacher ne bataya hai ki mummy papa se jhooth nahi bolna chahiye.

Abhishek- Tu nahi samjhegi Sarita. Jo teacher ne bataya hai wo padhai ke liye nahi tha. Wo kisi doosre cheej ke liye bataya hoga.

Sarita- Haan bhaiya tum thik kah rahe ho. Achha aap drawing karo, lekin papa se bachkar karna drawing nahi to papa ne dekh liya to bahut maar padegi aapko.

Abhishek- main to papa se chhupakar hi drawing karta hoon, lekin tum papa ko mat bata dena iske bare me. Nahi to sach me papa mujhe marenge.


Uske baad Sarita aur Manisha apna homework karne lage aur abhishek tarah tarah ke drawing banane laga. Isi tarah ek hours tak tino apni kitab kapiyo me ghuse rahe. Padhai khatam ho jane ke baad tino ghar me hi khelne lage. Raat 8 baje tak Aanand ji Auto lekar ghar aa jate hain.


Raani ji unhe pine ke pine ke liye pani deti hai. Pani pine ke baad Aanand ji raani ji se puchhte hain.


Aanand ji- Abhishek kaha hai bhagyawaan. Dikhai nahi de raha hai.

Raani ji- wo tino bagal wale kamer me khel rahe hain. Ek baat aur kahni hai aapse. Abhishek ko mariyega mat. Main usko achhi tarah se samjha diya hai. Wo bol raha tha ki ab wo kisi ke sath maar-pit nahi karega. Is baar jane dijie use.

Aanand ji - Arei bhagyawan. Main uska dushman nahi hoon. Mujhe bhi apne bete ki fikar hai. Bas thoda sakhti karni padti hai ki kahi bacha hanth se na nikal jaye. Isliye main usase sakhti se pesh aata hoon. Ab agar tumne baat kar hi li hai to thik hai.


Uske baad sabhi milkar khana khate hain aur bachho ko sulakar Rani Ji kitchen samet kar sone ke liye apne kamre me chali jati hain..



Iske Aage ki Kahaani agle Bhag mein..

UPDATE- 02


Subah sabse pahle Raani ji ki neend khuli, usne uthkar ghar ki saf safai shuri kar di. Thodi der baad aanand ji uthe. Aur unhone Abhishek, Sarita aur Manisha ko uthaya. Sabhi ne uthkar nahaya aur School jane ke liye taiyar hone lage. Raani ji ne sabhi ke liye tifin pack kiya aur Abhishek ko taiyaar hone me madad karne lagi. Sarita aur Manisha apne se taiyar hone lagi. Ye dekhkar aanand ne kaha.


Aanand ji- Is umar me bhi tum ise taiyar karwa rahi ho, jabki tumhe Sarita aur Manisha ko taiyaar karna chahiye. Tumhe nahi lagta ki tum apne bete ke chakkar me apni betiyon ke sath anyay kar rahi ho.

Raani ji- Are meri dono betiyan bahut samajhdar hain wo apna kham khud kar leti hain, lekin mera beta abhi nadan hai. Bina madad ke ye koi kaam thik se nahi kar paata hai isliye main iski madad kar rahi hoon.

Aanand Ji- Jab tun use khud se kuchh karne dogi tabhi to use kuchh aayega. Bachho se dular karna buri baat nahi hain Bhagyawan, lekin itna bhi dular nahi karna chahiye. Ki unki aadat bigad jaye.

Raani Ji- Aap subah subah fir se shuru ho gaye. Aapko to bas har samay mere bete ko kuchh bhi kahne ka mauka milna chahiye bas. Chalo ab jyada baat mat karo. Yaad hai ki nahi aapko ki hame Abhishek ke School bhi chalna hai principal se milne ke liye.

Aanand Ji- haan yaad hai mujhe aur mujhe pata hai ki principal ne kisliye bulaya hoga. Agar aaj iski koi complain mili to main iski tange tod dunga. Dekh lena tum.

Raani Ji- Thik hai pahle chalo to sahi baad me dekh lenge ki kya karna hai.


Uske baad Abhishek Apni dono bahano ke sath school chala gaya. Thodi der baad Raani ji aur Aanand ji bhi unke School chale gaye aur jakar principal Sir se mile.


Aanand Ji- Namaste Sir, main Abhishek ka papa Aanand. Abhishek ne bataya ki aapne hame bulaya hai.

Principal Sir- Achha to aap hain uske papa, dekhiye mr. Aanand. Ham aapke bachhe ko apne school me nahi padha payenge. Ham usko apne school se nikal rahe hain.

Aanand ji- Lekin baat kya hai sir ji. Usase koi galti hui hai kya.

Principal Sir- Galti nahi Anand ji. Gunaah huwa hai. Aapko pata hai kal ek mamooli bat par isne apni kaksha ke ek ladke ka sir phod diya. Ek to padhaii me bhi bahut kamjor hai. Teacher padhate hain to wo drawing banata rahta hai. Mujhe nahi lagta ki use padhane ka koi fayda hone wala hai. Aise bachhe ko main apane school me rakh kar aur bachho ke liye khatra nahi uthana chahta. Kya pata kal ko wo fir kisi aur ke sath aisa kare.

Aanand Ji- Lekin Sir ji Wo abhi bachh hai. Use itni samajh nahi hai Abhi. Aap Aakhiri baar use maaf kar dijie. Main use samjhaunga. Main aapko bharosha dilata hoon ki aapko dobara shikayak ka mauka nahi milega.

Principal Sir- Dekhie Anand ji. Aapka beta samjhane aur samajhne ki sari sima paar kar chuka hai. Mujhe nahi lagta ki use koi fark padne wala hai, fir bhi main aapko aakhiri mauka de raha hoon. Agar iske baad usne aisa kuchh kiya to main use apne school se nikal donga.

Aanand Ji- Ji bahut bahut dhanyawaad aapka sir. Main use samjhaunga. Aage se wo aisi shararat nahi karega.

Principal sir- Ji jaroor. Aisa ho jaye to bahut achha hai.


Uske baad Aanand Ji aur Raani Ji Principal Sir ke room se bahar aaye aur jakar apni auto me baith kar ghar aa gaye. Gahr aakar Aanand Joshi ne kaha.


Aanand Ji- Dekkh Liya Tumne Bhagyawan. Isiliye main tumhe hamesha samjhata rahta tha ki Use Achhe Sanskar do. Lekin tumne hamesha uska bachpana samajh kar najarandaz kar diya. dekho aaj kya kiya usne. Aaj kisi ek ka sir phoda hai usne. Kal kisi Aur ke sath aisa karega. Fir kya karenge ham.

Raani Ji- Mujhe kya pata tha ki wo aisa kuchh karega. Main to bas use dulaar karti thi. Sochti thi ki dhire dhire khud samajh jaega. Lekin mujhe nahi pata tha ki wo itna bigad jayega.

Aanand Ji- Aaj tum bich me mat aana. Aane do aaj use main Achhe se khabar leta hoon uski.


Itna kahkar Aanand Ji Auto lekar sawari ke liye chale jate hain. School ki chhutti hone ke baad Abhishek Apni dono bahano ke sath ghar aa gaya. Ghar aane ke baad Rani ne Abhishek, Sarita aur Manisha ko khana khilaya aur unhe sone ke liye bhej diya. Sham ko jab Abhishek So kar utha to Rani ne use apne paas baithaya aur pyaar se samjhaya.


Raani.Ji- Beta ye tumne kya kiya School ma. Yash ka Sir phod diya. ye bahut galat hai beta. Agar wo ulta tumhare sath bhi aisa karta to.

Abhishek- Lekin mummy usne meri drawing kharab kar di thi. Isliye maine use mara.

Rani- Lekin Itni Chhoti si baat ke liye tumhe use nahi Marna chahiye beta. Drawing to tum dobaara bana sakte ho, lekin jo tumne us ladke ka sir phoda hai. Isase to usko Dard huwa hoga. Agar use jyada chot lag jati to use hospital le jana padta. Jisase uske mummy papa bahut pareshan hote. Tumne uska sir phod diya hai. Wo school nahi aa payega. Jisase uski padhai ka bahut nuksan hoga. Ladai jhagda karna Achhi baat nahi hain. Agar koi tumhare sath aisa kare to tumhe achha lagega kya. Tumhare mummy papa agar pareshan honge to tumhe achha lagega kya.

Abhihsek- Nahi mujhe bilkul bhi achha nahi lagega.

Raani ji- to fir. Jaise tumko Achha nahi lagega. Waise hi tumne jis lagke ko mara hai usko bhi achha nahi lagega. Kya tum fir aisi saitani karogi. Kisi ko pareshan karogi. Ye galat baat hai. Koi tumhe kuchh kahe to tum koi jawab hi mat do. Kuchh din baad wo tumhe kuchh kahna hi band kar dega. Ek achhe bachhe bankar padhaai karo. Taaki teacher bhi tumse pyaar karein.

Abhishek- Nahi. Main ab kisi ko nahi marunga mummy. Sab ke sath ache se rahunga.

Raani Ji- Ye hui na ache bachho wali baat. Chalo ab jakar padhai karo. Tumhare principal sir kah rahe the ki tum padhai bilkul bhi nahi karte. Din bhar bas drawing hi karte rahte ho. Beta drawing karni achhi baat hai lekin iska ye matlab nahi hai ki tum padhaai karna hi band kar do. Agar padhai nahi karoge to tum fail ho jaoge. Agar tum fail ho jaoge to tumhare papa ko aur mujhe bilkul bhi achha nahin lagega. Agar tum fail ho gaye to papa tumhein marenge bhi.

Abhishek- Nahi mummy. Papa ko bolna ki wo mujhe na mare. Main khub man lagakar padhaai karunga. Aur ahhe number launga.

Raani- Thik hai beta Ager tumm Achhe se padhai karoge to papa tumhe nahi marenge. AB Jao padhai karo. Aur apni bahano ko bhi padhne ke liye bol do.


Raani ji ki baat sunkar abhishek apni kitab lekar padhane baith gaya aur sath me Sarita aur Manisha ko bhi apne sath padhne baitha liya. Lekin abhishek thahra moti buddhi ka ladka, use padhne me bilkul ruchi nahi rahti thi. 10 minute padhne ke baad usne apni penchil aur copy nikali aur drawing banane laga. Use drawing banate dekh Sarita ne kaha.


Sarita- bhaiya Aap padh kyon nahi rahe ho. Mummy ne padhne ke liye bola hai aur aap drawing bana rahe hain. Aise to aap fail ho jayenge.

Abhishek- Main kya karu Sarita. Mujhe padhna bilkul bhi acha nahi lagta. Padhai ke naam par mera sharir kampne lagta hai. Mujhe drawing karna bahut achha lagta hai.

Sarita- lekin bhaiya. Ye to galat hai. Mummy ko jhooth bolkar aap drawing kar rahe ho. Jabki teacher ne bataya hai ki mummy papa se jhooth nahi bolna chahiye.

Abhishek- Tu nahi samjhegi Sarita. Jo teacher ne bataya hai wo padhai ke liye nahi tha. Wo kisi doosre cheej ke liye bataya hoga.

Sarita- Haan bhaiya tum thik kah rahe ho. Achha aap drawing karo, lekin papa se bachkar karna drawing nahi to papa ne dekh liya to bahut maar padegi aapko.

Abhishek- main to papa se chhupakar hi drawing karta hoon, lekin tum papa ko mat bata dena iske bare me. Nahi to sach me papa mujhe marenge.


Uske baad Sarita aur Manisha apna homework karne lage aur abhishek tarah tarah ke drawing banane laga. Isi tarah ek hours tak tino apni kitab kapiyo me ghuse rahe. Padhai khatam ho jane ke baad tino ghar me hi khelne lage. Raat 8 baje tak Aanand ji Auto lekar ghar aa jate hain.


Raani ji unhe pine ke pine ke liye pani deti hai. Pani pine ke baad Aanand ji raani ji se puchhte hain.


Aanand ji- Abhishek kaha hai bhagyawaan. Dikhai nahi de raha hai.

Raani ji- wo tino bagal wale kamer me khel rahe hain. Ek baat aur kahni hai aapse. Abhishek ko mariyega mat. Main usko achhi tarah se samjha diya hai. Wo bol raha tha ki ab wo kisi ke sath maar-pit nahi karega. Is baar jane dijie use.

Aanand ji - Arei bhagyawan. Main uska dushman nahi hoon. Mujhe bhi apne bete ki fikar hai. Bas thoda sakhti karni padti hai ki kahi bacha hanth se na nikal jaye. Isliye main usase sakhti se pesh aata hoon. Ab agar tumne baat kar hi li hai to thik hai.


Uske baad sabhi milkar khana khate hain aur bachho ko sulakar Rani Ji kitchen samet kar sone ke liye apne kamre me chali jati hain..



Iske Aage ki Kahaani agle Bhag mein..
I think, abhishek ke mamle mein bahot der chuki hai... shayad hi wo khud ko badal paayega...
insaani aadat badal sakti hai par fitarat nahi... aur uska swabhaav aur sath hi uska wo khatarnaak gussa.... ye sabse zyada dangerous combination hai...
uski maa sochti hai bachha hai , sudhar jayega samjhane se.... lekin ye bilkul galat soch hai rani ki... actually bahot pehle hi Galti kar di hai usko sar chadhakar..... sabse badi galti ye ki ab bhi wohi galti kiye hi jaa rahi hai rani ...

Baaki maan le ki uska swabhaav badal bhi jaaye lekin uska wo gussa.. umar ke sath badhta hi jayega... wo kam nahi hoga balki badhega....
abhi ek rasta hai rani aur aanand ke paas ,,kisi achhe psychologist ke paas jaake salah mashwara karle.( I repeat...ye koi dimagi bimari nahi hai abhishek ki....bas usko samajhne aur samjha ne ke liye is salah mashware ki jarurat hai...) .. aur rahi baat abhishek ki study ki to aise tution karane wale teacher ki jarurat hai jo study related topics ko enjoyment aur entertainment ke sath sikhaaye aur samjhaye......

shaandaar update, shaandaar lekhni, shaandaar shabdon ka chayan...
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
UPDATE- 03


Apne kamre mein pahunchkar Raani ji bister par baith gai aur kuchh sochne lagi. Aanand ji abhi tak soye nahin the. Jab unhone apni dharmapatni ko soch mein dooba huwa dekha to unhone Unse poochha.


Aanand ji- Kya baat hai bhagyawaan. Kis soch mein doobi hui ho.

Raani ji- main abhishek ke bartav ko lekar thodi pareshan hoon. Uski padhaai ko lekar chintit hoon.

Aanand ji- Yahi chinta to mujhe bhi khaye ja rahi hai. Pata nahin aage chalkar kya hone wala hai. Kismat mein kya likha hai, main nahin chahta ki abhishek bhi meri tarah muflasi mein apna jeevan gujare. Main chahta hoon ki wo padh likhkar ek kamyaab insan bane.

Raani Ji- Main bhi to yahi chahti hoon ki use jeevan mein koi dukh dard na ho. Wo achhe se padhaai kare aur kaamyaab ho, lekin wo padhaai mein bahut kamjor hai. Main soch rahi hoon ki kyon na uske liye koi tution laga diya jaye. Jisase uski padhai mein sudhar ho sake.

Aanand ji- kah to tum thik hi rahi ho bhagawaan, main kal hi kisi achhe teacher ko dekhta hoon. Ho sakta hai tution se hi uski padhaai sudhar jaye.


Iske baad donon pati patni so gaye. Subah sabko school bhejne ke baad Raani ji ne Aanand ji ke liye bhi tifinn pack kiya. aanand ji bhi apna nashta lekar auto chalane chale gaye.


Isi tarah do din bit gaye. In do dino mein Aanand ji ne apne parichit se tution teacher ke bare mein baat ki thi to unhone ek bahut hi kabil teacher ki vyavastha kar di abhishek ko padhane ke liye.


Tution teacher Roj sham ko aakar ek ghante tak abhishek ko padhane laga. Teacher kyonki bahut kabil tha. Wah abhishek ko har tarah se nipun banane mein jut gaya.


Isi tarah samay gujarta raha, Abhishek ka padhai me bilkul man nahi lagta tha, to teacher ne bhi ek do mahine mein apne hath khade kar diye. Ab to abhishek ki maar-pit aur Shararat ke karan uske naam par shaikayte bhi badhne lagi. Jiske karan kabhi kabhi Aanand ji ki maar bhi padti thi Abhishek ko, maar khane ke kuchh din tak to wo thik se padhta, aur ladai Jhagda nahi karta tha, lekin kuchh din baad phir se uska wahi ravaiya ho jata.


Aanand ji aur raani ji bahut pareshan ho gaye the abhishek ke bartav se, wahi Sarita padhaai me hamesha aowwal aati. Jisase uski Sarahna bhi hoti thi. Manisha bhi padhai me thik thak hi thi. Ek din raat me bachho ke sone ke baad Aanand ji Aur raani ji baithkar baat kar rahe the.


Aanand- Abhishek ka kya hoga bhagyawaan. Roj kisi na kisi ki shikayat aati rahti hai. Wo bahut bigad gaya hai. Mujhe to uska bhavishyaa andhere me dikhayi de raha hai. Sarita ko dekho, Kitni samajhdar hai aur padhai me bhi kitni hoshiyaar hai. Manisha ki bhi koi chinta nahi hai mujhe. Wo bhi padhai me achhi hai , Lekin abhishek ko lekar mujhe din raat chinta lagi rahti hain.

Raani ji- Chinta to mujhe bhi uski lagi rahti hai, lekin Aap Itni chinta mat kiya kariye ji. Gujarte samay ke sath wo sudhar jayega. Abhi bachpna hai usmein. Abhi samajhdari ki kami hai usme. Thoda samay dijiye use. Dhire dhire sab thik ho jayega.

Aanand Ji- Bhagvan kare Sab thik ho jaye. Mujhe to abhishek ki chinta din rat khaye ja rahi hai. Agar Thik se padhai likhai nahi karega to meri tarah hi din raat khatega. Ham to apni jindagi jaise taise gujar rahe hain. Lekin main to chahta hoon ki hamare bachhe achhi jindagi jiye. Lakin Abhishek ko to jaise kuchh fikar hi nahi hai. Har samay ladai jhagda karta rahta hai.

Rani Ji- Aap chinta na kare. Main usase baat karti hoon. Wo meri baat jaroor sunega. Aap dekhna jald hi wo ladai jhagda chhodkar jimmedar ladka ban jayega. Chaliye ab so jaiye raat bahut ho gayi hai.


Uske baad Aanand Jj aur Rani Ji so jate hain. Subah Uthkar raani Ji ne Sabhi bachho ko taiyar kar school bhej diya aur khana banakar aanand ji ko bhi de diya. aur ghar ka aur kaam karne lagi. Jab Abhishek school se ghar aaya to Raani Jj ne use fir se samjhate huwe kaha.


Raani ji- Abhishek tu kab sudharege. Har samay ladai jhagda karta rahta hai. Har koi teri shikayat karta hai. Tu padhai likhai par dhyan de beta. Kyon apne bhavishya ke sath khel raha hai.

Abhishek- Thik hai maa main Is baat ka dhyan rakhunga ki aage se aisa kuchh na ho. Aur main padhai bhi man lagakar karunga. Ab main sone jaun.


Rani ne abhishek ko sone ke liye bhej diya. Sarita aur Manisha bhi so gayi, Abhishek ki baat sun-ne ke baad Raani ji ne jaan liya ki Abhishek sudharne wala nahi hai wo bas uski baat ko tarkakar unke pas se jana chahta tha isliye usne haan kar li. Ab unka bhi pareshan hona banta tha.


Samay apni rafter se chalta raha aur dekhte hi dekhte Abhishek kisi tarah girate padhte passing mark lata gaya aur highschool me pahuch gaya. Sarita 8th class me aur Manisha class 5th me pahuch gayi. Sarita aur Manisha ab ghar ke kamo me Raani ji ka hath batane lagi aur bache huwe samay me apni padhai aur uske baad jo samay bachta usme wo dono khelne jaya karti thi.


Lekin abhishek ke bartav mein abhi tak koi sudhar nahi aaya tha. Ab to uski maar pith bhi badh gayi thi, lekin Abhishek ne kabhi itni buri tarah se kisi ko nahi maara tha. Jisase baat had se jyada badh jaye. Bas 2-4 jhapad ya mukke marta tha.


Fir bhi shikayate to aani hi thi. Aur inhi shikayato ke karan Aanand ji Abhishek ki pitai bhi kar dete the. Lekin abhishek thahra ekdam dheeth aur nirbuddhi. wo na to RaAni ji ki pyaar ki bhasha samajhta tha Aur na hi Aanand ji ki maar ki bhasha. Aur padhaai se to uska nata jaise toot hi gaya tha. Isi ke chalte wo highschool ki board ki pariksha me fail ho gaya.


Usko kewal ek Vishay me dictention mila tha 90 Number wo bhi drawing me. Aur hindi me use 45 Number mile the. Baki ke sabhi Vishayo mein milakar bhi wo 33 Number nahi la paya tha. Yah dekhkar Aanand ji ka gusse ka para high ho gaya aur unhone Abhishek ko ji bhar kar kutaa. Raani ji, Sarita aur Manisha Abhishek ko bachane ke liye bhi aage aaye. Par Aanand jj ne kisi ki bhi nahi suni aur jii bhar kar uski pitaai kar di. Jisake karan poori raat abhishek rota raha.


Raani ji ne raat me khane ke liye use bulaya, lekin usne khana khane se mana kar diya, jiske karan Aanand ji ka gussa aur bhi badh gaya aur wo Abhishek ko marne ke liye uthe. Lekin Raani ji ne unhe shant kara kar khana khane ke liye de diya aur khud khana lekar Abhishek ke kamre me chali gayi, lekin abhishek khana khane ke liye taiyaar nahi hua. Thak haar kar wo wapas bahar chali aai. Fir Sarita na khana khaya aur ek thali khana lekar Abhishek ke paas gayi aur boli.


Sarita- bhaiya khana kyon nahi kha rahe hain aap. Chaliye jaldi se khana khaiye.

Abhishek- Mujhe nahi khana. Tu ja yahaa se.

Sarita- Aap khane se kyon gussa hain. Isne to aapko kuchh nahi kaha. Jo bhi kaha hai papa ne kaha hai to papa ka gussa khane par nikalna achhi baat thodi na hai.

Abhishek- Maine kaha na. mujhe nahi khana. Tujhe ek baar me samajh me nahi aata hai kya.


Abhishek ne ye baat thoda tez aawaz me kahi thi. Jisase Sarita Rone jaisi ho gayi aur uski aankho se do bund aanshu uski aankho se bahar nikal gaye. Abhishek ghar me sabse jyada apni dono bahano ko pyaar karta tha. Unki aankho me aanshu nahi dekh sakta tha, isliye jab Sarita ki aankho me aanshu aaye to use apni bhool ka ehsas huwa ki usne bewajah hi Sarita ko dat diya, isliye usne Sarita ko apne paas bithaya aur uske aanshu pochhte huwe bola.


Abhishek- Are meri lado. Dekho rona nahi. Chalo main khana khata hoon. Apne hantho se khilao mujhe.


Abhishek ki baat sunkar Sarita bahut khush hui aur apne hantho se Sarita Abhishek ko khana khilane lagi. Kamre ke bahar se Raani ji aur Aanand ji ye nazara dekh rahe the. Unhe Abhishek par bhale hi gussa aa raha tha, lekin dono bhai bahano ka pyaar dekhkar dono ko bahut Khushi ho rahi thi. Wo dono chupchap bahar chale gaye aur Aanand ne Rani se kaha.


Aanand ji- Dekha tumne bhagyawan. Kitna pyaar hai dono bhai bahano mein. Sarita ke ek aanshu ne uska sara gussa aur narazgi khatam kar diye. Bhagwan in dono ka pyaar hamesha banaye rakhe.


Aanand ji ne ye duwa bhagwan se maang to li thi, lekin jaroori nahi hai ki ham jo bhi bhagwan se mangte hain wo duwa bhagwan hamesha poori hi kare, aisa hi abhishek aur Gharwalo ke sath bhi hone wala tha. Jiska unhe door door tak anumaan nahi tha. Khair. Sarita ne Abhishek ko khana khila diya tha aur Abhishek ke hanth dhulakar boli.


Sarita- Aaap aisa kyon karte hain bhaiya. Aap ko pata hai papa kitni mehnat karte hain taki ham sab ache se padhe. Lekin aap hamesha pahdai ke alawa wo sab kuchh karte hain jo papa ko achha nahi lagta. Isiliye papa ne aapko mara. Isme papa ki koi galti nahi hai bhaiya. Isme aapko galti hai. Fir bhi aap sabse naraz ho gaye. Mujhko bhi data diya. aapko papa se maffi mangni chahiye.

Abhishek- Achha meri maa. Mujhse galti ho gayi. Mujhe maaf kar de. Main papa se subah mafi mang lunga. Ab to khush ho jaa. Aur mujhe sone de.

Sarita- Bas yahi kariye aap. Ghoomiye, ladhiye- jhagadiye, naraz hoiye aur khana khakar so jaiye. Isle alava padhai bhi hoti hai jo aapki dictionary me nahi hai. Isiliye aapko maar padti hai. Agli baat agar maar padi to main nahi aaungi bachane aapko dekh lena.

Abhishek- haa haa kah to aise rahi hai jaise tu hi mujhe bachati hai har baar. Ab jaa yaha se.


Sarita Abhishek ko jeebh dikhate huwe thali lekar bahar chali gayi aur Abhishek bister par late kar gahri neend me so gaya. Subah bhor me uthkar sabse pahle wo fresh huwa aur fir apne papa ke paas chalga gaya aur unke paas baith kar bola.


Abhishek- papa. Mujhhe maaf kar do. Maine jo kal raat me aap sab ke sath vyavhar kiya uske liye.

Aanand ji- {Abhishek ke sir par pyaar se hath firate huwe} beta ham tumhare koi dusman nahi hain. Agar ham tumhe maarte hain ya data-te hain to tumhare bhale ke liye hi to karte hain. Agar tum thik se padhai karo. Main ye nahi kahta ki tum dictention le aakar dikhao. Main to bas itna chahta hoon ki tum bas paas ho jao. Aakhir padh likh jaoge to kahi kaam handha pakad loge. Tumhari zindagi ache se bitegi. Nahi to beta. Mujhe dekho din bhar khat-ta rahta hoon tab jakar do vakt ki roti ka juwad hota hai. Main nahi chahta beta ki tumhare sath bhi aisa ho. Isliye main tumko data-ta rahta hoon. Padaai karne ke liye kahta hoon.

Abhishek- thik hai papa main poori koshish karunga ki is baar paas ho kar dikhaunga.

Aanand ji- mujhko tumse yahi ummeed hai mere bete. Koshish karna ki tum meri ummeedon par khare utro.


Fir Aanand ji ne apna khana pack karwaya aur Auto lekar apne kaam par chale gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
itna samjhane aur maar padne ke baad bhi nahi samjha aur na sudhra to ab kya khak sudharega wo.... pita se leke chhoti bahan tak pyar se phakkad se sabhi se koshish ki lekin mazak hai kiski jo abhishek ko sudhar sake...

Maybe ye jo ho raha hai unke ghar... shayad ek na ek din abhishek apne gusse aur laaparvahi ke chalte kuch aisa kar dega jiski wajah se aanand ushe bahot maarega ya aisa kuch keh deg ki abhishek ghar chhod ke chala jaayega aur shayad kisi bure raah par chal padega... ant mein muthbhed hogi khudki bahan se... aur sarita farz ke chalte uspe goli chalaayegi :gunfire:

Khair ... Present mein bas ek hi insaan abhishek ko sudhaar sakta hai, aur wo koi aur nahi balki manisha ka hone wala pati.... The great one nischal hai.. 

Manisha bhi padhai me thik thak hi thi.
ab ye kya hai :bat: nischal ki premika bas padhayi mein thik thak :bat:
chalo chalo jaldi se manisha ko topper banao :bat:

Khair.....
shaandar update, shaandar lekhni shaandar shabdon ka chayan..
kirdaaro ke mood, mahol aur unke bich rishte ke varnan kabile tarif raha...

Hamesha ki tarah kirdaaro ke vicharo ka adan pradan jis mul vishay vastu pe hai wo ek lay mein dikhane mein lekhika kamyaab rahi..
Overall the best part of the update is the end, specially the way you have written it...hope ki abhishek ab sudhar jaaye...

Aise hi likhte rahiye aur aur apni manoram lekhni se hum readers ka manoranjan karte rahiye...

Let's see what happens next..

Brilliant update with awesome writing skills... :applause: :applause:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
UPDATE- 04


Aanand ji ke jane ke baad Abhishek ne thodi der padhai ki, lekin fir se vahi DHAK KE TEEN PAAT wala hall ho gaya. Thodi der padhne ke baad abhishek phir se ghar se bahar nikal gaya. Abhishek ki shararate jari rahi aur padhai se uska nata toot-ta gaya. Jab Aanand ji ghar me hote the to Abhishek bas kitab khole baitha rahta tha, lekin jab wo bahar jate to Abhishek bhi bahar nikal jata.


Raani ji ne Aanand ji ko ye bhi bataya ki unke jane ke baad Abhishek bahar nikal jata hai to wo bahut pareshan huwe. Fir jab dobara Abhishek ka naam likhaya gaya to unhone khuchh sochte huwe Abhishek ka tution fir se lagwa diya ki shayad is Baar abhishek achhe se padhaai kar le, Lekin Tution me bhi Abhishek padhai par dhyan nahi deta tha.


Tution se bhi Abhishek ki shikayate aane lagi. to Abhishek ko fir se Aanand ji ne mara. Kuchh Mahine baad Tution teacher ne Abhishek ko tution se nikal diya. Roj ki maar aur padhai se algav ke karan abhishek frustrate hone laga. Iska nateeja ye Huwa ki ab wo din bhar ghar se gayab hi rahne laga.


Dhire dhire fir se board ki pariksha aa gayi aur abhishek is baar fir se fail ho gaya. Bas is baar bhi hindi aur drawing me hi usko number mile the. Baki sabhi subject me wah fail ho gaya. Aanand ji ko bahut jyada gussa aaya is baat par. Us din Aanand ji ne Abhishek ko bahut buri tarah maara. Is baar Sarita ne bich me aakar abhishek ko bachaya. Isi chakkar me ek danda Sarita ko bhi pad gaya.


Sarita Abhishek ko lekar apne kamre me chali gayi aur uske ghavo par marham lagaya. Abhishek chupchap aanshu bahata raha. Sarita ne bhi abhi kuchh bolna sahi nahi samjha. Use apne papa par bhi gussa aa raha tha, parantu Aanand ji ne jo bhi kiya wo gusse me kiya. Uska gussa karna bhi jayaj tha.


Thodi der baad jab unka gussa shant ho gaya to unhe is baat ka pachhatava hone laga ki unhe abhishek ko itni buri tareeke se nahi marna chahiye tha. wo Abhishek ke paas gaye aur uske sir par hanth firakar pyaar se kaha.


Aanand ji- Abhishek beta. Mujhe maaf kar de. Maine gusse me akhar tunjhe bahut mara. Itna to main samajh gaya hoon ki tujhse ab padhai likhai nahi ho paegi. Lekin teri drawing bahut badhiya hai to agar tu usi field me apna carrier bana le to thik rahega. Mujhe bhi tujh par bar bar hanth uthane mein takleef hoti hai.


Us raat aanand ji ko bhhi thik se neend nahi aayi aur ghar ke anya sadasya bhi abhishek ko lekar bahut dukhi the. Dhire dhire samay bitata raha aur aanand ji ne apne jaan pahchan walo se kisi banner aur hording wali company me apne bete ko rakhwane ke liye baat bhi kar li.


Ek do jagah baat bhi bani, lekin uski pahdai bich me aade aa jati. Kafi masakkat ke baad Abhishek ko ek Banner aur Hording banana wali company me kaam mil hi gaya, lekin padhe likhe na hone ke karan use paise jyada nahi milte the. Aanand ji itne me hi khush the ki kam se kam Abhishek ko kaam to mil gaya hai. Isi bahane ab wo busy rahega to ladai ghagda bhi nahi karega. Aur chaar paise bhi ghar me aayenge. Lekin Aanand ji ki ye Khushi bhi jyada din nahi chali.


Ab Sarita ne high school me admission karwa liya tha aur Manisha class 7 mein thi. Samay dhire dhire aage bahdta raha aur Samay ke sath Abhishek ki life me parivatnan aane laga. Uski sangat kuchh galat ladko se ho gayi aur wo unki sangat me bigdata chala gaya.


Ab wo Daru, Bidi, paan, tambaku aur gutkha jaisi nashili cheejo ka bhi sewan karne laga, lekin ab wo maar pit aur ladaai jhagda nahin karta tha, yaa yuun kahein ki use iske liye samay hi nahin milta thaa.


Jab Aanand ji ko is baat ka pata chala to unhone Abhishek ko bahut samjhaya. Itna to ab wo jaan gaye the ki maar pith kar abhishek ko samjhana bahut mushkil hai. Aur waise bhi ek kahawat hai ki Agar Beta baap ke kandhe ko paar kar jata hai to use marne me baap ko sankoch hota hai. Isliye wo abhishek ko pyaar se samjhate huwe bole.


Aanand ji- Ye sab kya hai Abhishek, pahle to tu padhaai bhi nahi karta tha, ladaai jhagda karta tha aur ab tu galat sangat me bhi pad gaya hai. Kyon ham logo ko jeete ji marna chahta hai. Aakhir hamne kya bigada hai tumhara. Yahi na ki tum hamare ghar me paida huwe. Kyon karta hai tu ye sab. Kya tumhe apne budhe hote maa baap par taras bhi nahi aata. Ya ham logo ki jaan lekar hi manega tu.

Abhishek- Maine kya kiya hai papa. Aap ne kaha kaam karne ke liye to main kar raha hoon. Baki dosto ke sath uthana baithna bhi band kar doon kya papa.

Aanand ji- Mujhe kabhi dosto ke sath uthne baithne me koi dikkat nahi hai, lekin wo tere dost nahi dushman hain jo tujhe galat raste par le ja rahe hain. Unka sath chhod de. Achhe ladkon ke sath apni jaan pahchan badhaa, Ab bhi wakt hai sudhar ja beta. Agar tujhe ye job nahi karni to tu chhod de use aur ghar me baith. Main abhi kamaa raha hoon. Main abhi bhi tum sabko paal sakta hoon, lekin tum unka sath chhod de abhishek.

Abhisha- Kya yaar papp. Pahle aapko meri padhai se dikkat thi aur ab mere dosto se bhi pareshani hai aapko. Aakhir aap chahte kya hain. Ab main khud bhi samajhdar ho gaya hoon. Apna achha bura khud samajh sakta hoon, aap har samay mujhe mat samjhaya kariye. Aur meri life me interfere mat kariye.


Itna kahkar Abhishek Ghar se bahar nikal gaya. Aanand ji thage se use bahar jate huwe dekhte rahe. Aaj pahali baar abhishek ne unse is lahje mein baat ki thi. Apne bete ki baat sunkar unka dil toot gaya tha aur unki aankho me aanshu aa gaye. Raani ji ne jab Aanand ji ko rote huwe dekha to wo ghabra gayi aur aanand ji ke paas aakar boli.


Raani jii- Kyaa huwa aap ki aankho me aanshu. Kisi ne kuchh kaha kya aapse.


Aanand ji Rani ji ki baat sunkar Uske kandhe par sir rakhkar fafak fafak kar rone lage. Apne papa ke rone ki aawaz sunkar Sarita aur Manisha bhi unke paas chali gayi aur apne Aanand ji se lipat kar khadi ho gayi. Thodi der baad jab Aanand ji normal huwe tab unhone kaha.


Aanand ji- Aaj main haar gaya Bhagyawan. Aaj main apne bete se haar gaya.

Raani jii- Aap aisa kyon kah rahe hain ji. Kya kah diya abhishek ne aisa jo aap aisi baat kar rahe hain.

Aanand ji- Wo bol raha hai Mujhe uske dosto se pareshani hai. Mujhe uski Khushi se pareshani hai. Wo bolta hai ki main uski life me dakhal na doon. Kya yahi din dekhne ke liye hamne use paal poss kar itna bada kiya tha. Main aaj apni hi santan se har gaya .

Sarita- Aap shant ho jaiye papa. Main baat karti hoon bhaiya se. wo aapse jaroor iske liye mafi mangenge. Unhe ye nahi kahna chahiye tha.


Raat ko 8 baje jab Abhishek bahar se ghar aata hai to Sarita usase baat karne ke liye Abhishek ke paas gayi aur boli.


Sarita- Ye sab kya hai bhaiya. Aap ko pata hai ki aapki is harkat ki wajah se paap ro rahe the. Kya ye Achha lagta hai ki ek baap apne bete ke karan rone lage.

Abhishek- lekin maine to aisa kuchh bhi nahi kaha tha jiske karan papa ko dukh pahucha ho.

Sarita- Aapne jo kuchh kaha hai. Usi baat ne papa ke dil ko chot pahuchayi hai. Aapko kya jarurat thi palatkar jawab dene ki. Chupchap sun nahi sakte the kya. Aur waise bhi papa ne koi galat baat to nahi boli thi. Kewal yahi kaha tha ki aapke dost ache nahi hain wo aapko bigad rahe hain. Mujhe bhi lagta hai ki papa sahi kah rahe hain. Aap ab pahle jaise nahi rahe bhaiya.

Abhishek- Dekh Sarita. Ab tu bhi mat shuru ho jana. Nahi to main abhi ghar se fir chala jaunga.

Sarita- Achha thik hai main nahi bolti kuchh. Waise bhi meri koi baat aap mante kahan hain. Lekin aapko papa se mafi mangni chahiye. Aapki wajah se papa aaj ro diye.

Abhishek- Thik hai meri maa. Main maafi mang loonga papa se. mujhe bhi lagta hai ki maine kuchh jyada hi over react kar diya. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha.

Sarita- jab aap ko pata hai ki ki papa hamesha aapke bhale ke liye kahte hain to aap aise kyon bartav karte hain papa se.

Abhishek- Pata nahi Sarita, lekin us samay mujhe pata nahi kya ho jata hai. Mujhe aisa lagta hai ki papa mujhpar bandish laga rahe hain.

Sarita- Aap kitna galat sochte hain bhaiya. Jo aapko bandish najar aati hai. Wo papa ka pyaar hai aapke liye, lekin aap apne awara doston ke sath rahkar bigad gaye hain. Aapko papa ka pyaar dikhaai hi nahi de raha hai.

Abhishek- achha thik hai. Ab tu shuru mat ho ja. Main kah to raha hoon ki main mafi mang lunga papa se.

Sarita- thik hai bhaiya main chalti hoon. Papa se mafi jaroor mang lijiyega aap.


Itna kahkar Sarita bahar chali gayi. Thodi der baad khana ban gaya aur sabhi khane ke liye baith gaye. Khana khate huwe Abhishek ne kaha.


Abhishek- papa mujhe maaf kar dijie. Mujhe us tarah aapse baat nahi karni chahiye thi. Pata nahi us samay mujhe kya ho gaya tha jo maine aapse aisi bhasha me baat ki.

Aanand ji- beta main tera dushman nahi hoon. Main jo bhi kar raha hoon ya jo bhi tujhe kahta hoon. Tere bhale ke liye kahta hoon. Aakhir mujhe chinta hai teri.

Abhishek- Thik hai papa aage se main is baat ka dhyan rakhunga.


Lekin sabhi ko pata tha ki ye baat bas 2-4 din me hi abhishek bhool jayega. Sabhi khana khane ke baad apne apne bister par sone chale gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein.
ab kutte ki dum tebhi ki tedhi , ch aahe saal bhar uspe ek bada patthar rakhkar bada ke sidha karke kyun na rakh lo wo na sidhi hone wali....
abhishek bachpan mein hi itna bigad chuka tha ,ab kya khak sudherega... upar se rani jis kadar lad pyar karke sar chadhake uske galtiyo pe parda daalne ki koshish ki har baar:sigh:

bure sangat mein jab koi insaan jaata hai , to ya to wo kisi ke samajhane se waqt rehte un bure sangat se dur hoke khud ko galat raah pe jaane se bacha leta hai ya phir kisi ki na sun ke bure sangat mein rehke galat raah par chala jata hai... aur ant mein jiska natiza kaafi taklif deh hota hai.. us insaan ke sath sath usse jude log ya parivaar walo ko bhi iska khamiyaza bhugatna padta hai....
abhishek ko zara su bhi is baat ki ilm nahi abhi jis galat raah pe chal raha hai,aage jaake kis musibat ka samna karna par sakta hai....waise abhi kiske samjhane pe bhi wo nahi samajhne wala Kyunki uski aankhon pe abhi burayi ki patti bandhi hai jise wo mauj masti samajh raha hai ...
Abhisha- Kya yaar
apne pita ko yaar kehke sambodhit karke ye baat saaf kar di hai ki wo aaj ke waqt mein kya ban chuka hai... Shayad yahi se abhishek khudki barbaadi ke auur rukh karne wala hai...

ab wo din door nahi jab abhishek ke chalte uske parivaar walo ko bhi us natiza ka saamna Karna padega jiski ummid kabhi maa baap ya parivaar wale nahi karte.... aur na karna chaahate hai...

Waise update hi sach dilchasp tha .... aur sath hi kirdaaro ki bhumika bhi.... ek sikh bhi se gaya hai....
Btw abhi shayad bahot se twists aane wale story pe..

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills... :yourock: :yourock:
 

Top