Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

R

Rockstar Rocky


Namaskar Mitro Aur Pathko.

Main ek Chhoti si prem kahani prastut karne ja rahi hoon aap sab doston ke liye. Jisme bharpoor pyaar, nafrat, tyaag, ruthna, manana Sab kuchh milega. Meri is kahani me prem/pyaar ke sath thoda bahut Suspense aur thoda bahut Thriller bhi padhne ko milega.


Is Kahani Ka Naam Hai

TUMHAARE LIYE- EK PREM KAHAANI

Pics-Join-2021113225422965

Ye kahani Ananya Ji ki kahaani se prerit hai. Is kahani ke Sabhi Patr Aur ghatnaye kalpanik hain. sath hi sath is kahani me likhi gayi jagah bhi kalpanik hai, jinka kisi bhi vyakti ya ghanta se koi lana-dena nahi hai. Agar kahi bhi Is kahani ke patr ya ghanta ya sthan kisi vyakti vishesh ya sthan se mel khate hain to aap khud samajhdar hain ki aapko kya karna hai. Are mitro. Use ignore marna hai.


Kahani shuru karne se pahle Sabhi Mitro/Pathko se ek baat kahna chahti hoon ki Update dene ke liye wo mujhe force nahi karenge, kyonki jin pathkon ne meri pichhali Sabhi kahaniya padhi hain. Unhe pata hoga ki mere updates niyamit aate hain, haan yadi kabhi updates dene me vilamb hota hai to main pahale se hi suchit kar doongi aur yadi kisi karanavash agar main suchit na kar paun to aap sabhi samajh jaiyega ki main kisi ati aawashyak karya me busy hoon.


To mitro. Kahani shuru karte hain Aap sab ki Anumati ke baad.



Sath Bane Rahiye..
Story fullpack lag rahi hai , woh kya kahte hai all in one type wali
Aur saath mai jo disclmair diya hai na woh pash kar essa laga mano chasni ghol rahi ho aap
Aapki stroy watch pai laga li hai
Update padh kar rebo jarure dunga mahi ji
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,224
145
So
UPDATE- 32


Sarita Apne ghar walo se baat kar rahi thi jo use uske janamdin ki badhai de rahe the. Sarita apne ghar walo se baat karke bahut khush thi. Uski aankho me aanshu aa gaye the. Nishchal apni hatheli par apna chahra rakhkar Ek tak Sarita ko dekhe ja raha tha. Pata nahi Kyon Par Nishchal ko bilkul bhi achha nahi lag raha tha Sarita ki Utsukta dekhkar. Wah apne gharwalo se door thi. Janamdin ke mauke par bhi Ghar walo se door rahna kitna mushkil hota hai. Ye Nischal ko achha nahi lag raha tha lekin wo kuchh kar bhi nahi sakta tha.


Use Yaad aata hai ki jab wo bhi akela rahta tha to kisi Khushi ke mauke par wo bhi bhawuk ho jata tha. Abhi to uske sath uski Savi di rah rahi thi. Par jab wo Akela rahta tha to use bahut hi yaad aati thi apne ghar ki. Uska man karta tha ki wo jakar un sab logo ko pite jo ye kahte hain ki ladka hai. Aaram se ghar ke bahar rah Sakta hai. Unhe koi fark nahi padta. Unhe ghar ki yaad nahi aati. Wagairah Wagairah.


Sarita ki baat ho chuki thi aur wo baat karne ke baad Paas me rakhe bed par baith gayi. Uske chehre par udasi saf dekhi ja sakti thi. Nishchal kursi par baitha Sarita ki hi taraf dekh raha tha. Sarita ko dekhte huwe Usne kaha.


Nischal- Achha ab to tumhari baat ho gayi hai. Ab ye bhi bata do ki mujhe Kyon roka tumne.

Sarita- (man me) Are yaar Kitna Akdu insan hai. Hitlar kahi ka. Abhi iske samne hi itni der se main baat kar rahi hoon. Ise bhi maloom chal gaya hoga ki aaj mera janamdin hai. Fir bhi ek baar bhi iske baare me mujhse baat nahi ki. Vish bhi nahi kiya abhi tak. Waise main kyon Soch rahi hoon itna. Is hitlar ke vish ke liye main mari thode hi jar ahi hoon.


Sarita ko chup chap sochte dekh Nischal ne chutki bajate huwe kaha.


Nishchal- Miss Joshi, Miss Joshi, Kaha kho gayi tum. Maine kuchh poocha aapse.

Sarita- Wo haa… kahi.nahi….. Achha mujhe ye bataiye ki Aapko kaise pata chala ki koi mujhe marna chahta hai aur aaj hi mujhe marna chahta hai.

Nishchal- Wo sab chhodo. Jab kuchh der pahle main tumhe call kar raha tha to tum kisase baat kar rahi thi.

Sarita- (Hairani se) Aapne kab mujhe call kiya.

Nischal- Ye poochhne se pahle apna phone chack karo.


Sarita ne apna phone dekha to usme 4 miss call padi thi jo Nishchal ki thi. Miss call dekhne ke baad Sarita ne kaha.


Sarita- Haann.. Soryyy. Maine dhyan hi nahi diya.

Nischal- maine tumhe kitni baar mana kiya ki in sab chakkaro me mat pado, ye bahut khatarnak log hain, lekin tumne to meri baat kabhi bhi na man-ne ki kasam kha rakhi hai. Abhi bhi jab maine tumhe kaha tha ki main tumhare Munh se hath hata raha hoon. Aawaz mat karna, lekin tum. Itni tez tez bol rahi thi ki bahar se logo ko pata chal jaye ki aawaz kahan se aa rahi hai. Tumhe us samay ho kya gaya tha. Mere samjhane ke baad bhi tum meri baat nahi mani.


Nischal ki baat sunkar Sarita hadbada gayi, Kyonki us samay to wo kisi aur hi duniya me thi, usne Nishchal ki baat hi nahi suni thi. Wo hadabadate huwe nishchal se boli.


Sarita- kuchhh nahii.. Kuchh bhii too nahii.. Pahle maine jo.. poocha hai aapse wo bataiye mujhe.

Nischal- To Apne boss ko hi order de rahi hoo tum.

Sarita- Haan de rahi hoon order. To bataiye mujhe.

Nishchal- Main kyon bataun tumhe. Tum meri wife nahi ho ki tum mujhse kuchh bhi poocho aur main tumhe bata dooga.

Sarita- (gusse se) Ye Kya faltu ki bakawas kar rahe hain aap. Ek to wo aadmi pata nahi kya kya anargal bate kar raha tha aur ab aap bhi shuru ho gaye. Shant rahiye aap bilkul bhi.

Nishchal- Haan faltu insan ko har baate faltu hi lagti hain. Abhi to tum bol rahi thi ki main tumhe wo baat bataun aur abhi bol rahi ho ki main chu prahu.

Sarita- Are yaar. Jo puch rahi hoon wo bataiye na.

Nischal- Are yaar. Matlab Main yaar ho gaya tumhara. Ab aage pata nahi kya kya banaogi mujhe tum.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne apne hanth jod liye aur Nischal se kaha.

Sarita- Ab Plz mujhe aur pareshan mat kariye aur main jo pooch rahi hoon uska jawab de dijiye. Agar aap kahiye to main aapke pair bhi pad leti hoon.

Nischal- Nahi Uski jaroorat nahi hai. Aaj ke liye itna hi kafi hai. Mujhe apne mukhbir se khabar mili thi ki tumhari jaan khatre mein hai. Tumhe koi marna chahta hai. Main tumhari tarah kisi baat ki aadhi adhori jankari nahi rakhta hoon.

Sarita- Bade aaye mujhe sikhane wale. Agar wo mujhe marna chahte the to mujhe kahi par bhi maar sakte the. Fir unhone mujhe ghar me hi marne ki koshish kyon ki.

Nishchal- (chidhkar) Mujhe kya pata. Abki baar jab wo tumhe fir se marne aaye na tab tum unhi se hi pooch lena ye bate.

Sarita- Had hai yaar. Aap kisi bhi baat ka siddha jawab nahi de sakte hain kya.

Nischal- Tumhe sidhi baat kabhi samajh me aati hai kya jo mujhse sidhe jawab ki ummeed karti ho. Tum khud apna dimag nahi laga sakti. PS me tumhe aakar maarenge kya ye log. PS se tumhara nikalne ka samay bhi fix nahi hai ki ye log tumhe raste me target karein. Fir bacha ye ghar. Isase Achhi aur aasan jagah aur kya ho sakti hai unhe apna kam poora karne ke liye.

Sarita- Haan ye baat to sahi kahi aapne.

Nishchal- thik hai. Kal se tum mere ghar me rahogi di ke sath.

Sarita- (hairan hote huwe) Kyon. Main kYon rahungi aapke ghar me. Miann nahi rahungi aapke yahan.

Nischal- Jitna kah raha hoon. Tum utna hi karo. Mujhe tumse is bare me bahas nahi karni hai. Samjhi tum.

Sarita- Aap hain kaun jo main aapki baat manu. Aap kahi ke judge hain jo aapne ek baar bol diya to uspar koi bahas nahi ho sakti. Main nahi rahne wali aapke ghar par.

Nishchal- Main CO ke post par hi thik hoon. MUjhe judge mat banao. Maine jitna kaha hai tumse utna karo.

Sarita- Main aisa kuchh bhi nahi karne wali Samjhe aap.

Nischal- Tumhari pareshani kya hai haan. Mujhe samajh me nahi aata ki tumhara upar ki manjil me kuchh hai ya ekdam khali padi hui hai. Tumne meri baat na man-ne ki kahi mannat mang rakhi hai kya.

Sarita- Nahi. Maine ek baar bol diya to bol diya. Main nahi aane wali aapke ghar.

Nishchal- (gusse se) bhad me jao tum. Jo man ho tumhara wo karo.


Itna kahakr Nischal bahar jane lagta hai. Tabhi kuchh sochkar wapas mudta hai aur Sarita ki taraf aane lagta hai. Sarita sochne lagti hai ki ab ise kya ho gaya hai. Fir se dimag chatega mera. Kahi mujhe abhi apne sath ghar to nahi le jane wala. Tab tak nishchal uske paas pahuch chuka tha. Sarita ke paas aakar nishchal ne apna hanth aage badhaya aur kaha.

Nishchal- Happy Birth Day Miss Joshi.


Nischal ke aisa kahne se Sarita ek tuck Nishchal ko dekhne lagti hai use to yakeen hi nahi ho raha tha ki Nishchal use Janamdin ki badhaai de raha hai. Sarita ko apni taraf ektuch ghoorta huwa pakar nishcal ne usase kaha.


Nischal- Aise kya dekh rahi ho Miss Joshi. Main tumhe janamdin ki badhaai de raha hoon. Tumhari jaan nahi mang raha hoon. Jo mujhe ghoor rahi ho.


Abhi Sarita kuchh bolti iske pahle hi Nishchal ka phone bajne lagta hai. Nischal jab phone dekhta hai to Savita ka phone tha. Nishchal uska phone dekh phone cut kar deta hai, lekin yaha par wo galti se cut karne ke bajay receive ka batan daba deta hai aur phone ko cut samajhkar jeb me phone wapas rakh leta hai. Phone wapas jeb mein rakhne ke baad Sarita bolti hai.


Sarita- haan kah to aise rahe hain jaise bahut jaldi bol diya mujhe. Main kab se intzar kar rahi thi lekin abhi koi matlab nahi rah gaya hai.

Nishchal- Tum had karti ho yaar.


Itna kahkar Nishchal 2 kadam aur Sarita ke paas chala gaya is daruan jab usne apna tisra kadam uthaya to uska pair bed se niche aa gayi chadar me fans gaya jiska ek sira uske doosre pair se daba huwa tha.


Pair chadar me fans jane ke karan wo apne aapko sambhal nahi pata aur ladkhadate huwe Sarita ke upar gir padta hai. Par Sarita ne turant apna bachav karte huwe apna hath uske sine par rakh kar use apne sine par girne se rok diya. Jiske karan dono ke bich ek doori ban jati hai.


Sarita ne apna hanth uske Sine par Rakha tha, Sarita ko aisa mahsoos ho raha tha ki Nischal ke sine ki dhadkarn bahut tez gati se chal rahi hai. Sarita ka bhi yahi haal tha. Dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Ek doosre ki aankho me dekhte huwe dono lagbhag kho se gaye. Yahi Sthiti lagbhag 5 Minute tak bani rahi.


Na Sarita ne Nishchal ko apne upar se hatne ke liye kaha aur na hi apne hanth se use dhakka dekar hataya. Aur na hi Nishchal ne uske upar se uthne ki koshish ki. Nishchal ke phone par bajane wali ringtone ne us dono ko vastvikta ke dharatal par la patka. Sarita ne nishchal ko apne upar se dhakka dekar pare kiya aur uthkar khadi ho gayi. Nishchal ne apna phone nikal kar dekha to phone Savita ka tha. Nishchal ne phone uthaya aur kaha.


Nishchal- Hello di.

Savi-Nishu kaha hai tu. kitni raat ho gayi hai aur tu abhi tak ghar nahi aaya.

Nishchal- Haan di. kuchh kaam me fans gaya hoon. main ghar nahi aa paunga aaj shayad.

Savi- mujhe pata hai tumhara jaroori kaam aur kaha par hai tu ye bhi pata hai mujhe. tu itni raat ko Sarita ke paas kya kar raha hai.


Savi ki baat sunkar Nishchal chauk gaya. Use samajh nahi aa raha tha ki Uski di ko kaise pata chala ki wo Sarita ke yaha par hai. use dar nahi tha ki uski di uske bare me kuchh galat sochegi, Kyonki Savi ko NIshchal par poora bharosha tha. Nischal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Haan di main Sarita ke paas hi hoon. jaldi hi nikalta hoon yaha se.


Udhar se Savita ne phone rakh diya. Sarita ne jab ya suna to uski aankhe badi ho gayi. wo gusse se Nishchal ko dekhne lagi. jaise use kacha chaba jayegi. tabhi Nishchal ne isi baat ka phayda uthakar Sarita ko pareshan karne ki sochi aur jhoth moth ke phone kan ke paas lagaye huwe kaha.


Nishchal- Ab main Kya batauun di. Isi ne mujhse jid ki ke aaj raat mujhe iske sath rahna hai to main kya karta. maine bhi socha ki main iski baat maan leta hoon. nahi to ye aapse meri shikayat karegi.


Sarita ne uski baat sunkar use gusse se dekhne lagi. Nishchal ne usko ignore karte huwe kaha.


Nishchal- Nahi di aap bilkul bhi fikar mat kariye. main iske sath iske kamre me hi sounga.


Sarita ne jab ye suna to wo turant Nishchal ke paas pahuchi aur uske hanth se phone cheenkar apne kan me lagate huwe kaha.


Sarita- Nahi di aisa kuchh bhi nahi hai. maine inhe nahi bulaya. ye khud aaye hain yaha. inhone aapse jo bhi kaha hai sab jhooth hai. maine inhe kuchh baat karne ke liye rukne ke liye kaha tha.


doosari taraf se jab koi aawaz nahi sunai di Sarita ko to wo 2-3 baar hello hello boli. jab udhar se koi aawaz nahi aayi to Sarita ne phone ki screen par dekha to waha par koi call nahi dikhi Sarita ne Jab Nishchal ki taraf dekha to wo jor j0r se hans raha tha. Nishchal ko hansta huwa dekhkar Use samajhte der na lagi ki Nishchal ne use chutiya banaya hai. use pareshan kiya hai. ye samajh me aate hi Sarita ne kaha.


Sarita- Aapne ye bilkul bhi achha nahi kiya. main aapko chhodungi nahi.


itna kahkar Sarita Nishchal ko marne ke liye daudi. Ye dekhkar Nishchal apne apko bachane ki koshish karne laga. isi pakadam pakadai me Sarita ka pair bed ke paruwa (paya) me ulajh gaya aur wo niche girne ko hui to Nischal ne furti dikhate huwe Sarita ko tham liya.


tumblr-e615c4084213561262ffe4f624a6eb07-b42cc3b6-400

Sarita ne bhi girne se bachne ke liye apna hanth chalaya to ek Nischal ke kandhe par aur ek hanth Nishchal ki chaudi chhati par aa gaya. Nishchal ne Sarita ko dono hantho se uski kamar ko tham rakha tha. Is samay Sarita jhuki hui Nishchal ki baaho me thi. dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Sarita ko aisa prateet ho raha tha ki Uske hanth ke niche Nishchal ka dil bahut tezi se dhadak raha tha.


Nishchal ke dhadkan ki aawaz sunkar Sarita ke dil ki dhadkan bhi tez ho gayi. Uske honth fadfadane lage. sharir me ek anchahi sihran si daudti chali gayi. dono ek doosre ki aankho me dekhte huwe kho se gaye. dono bahut der tak ek doosre ki aankho me khoye rahe. dono ka dhyaan Sarita ke phone ne toda, jis par kisi ka phone aa raha tha.


Nishchal hadbadate huwe Sarita ko khada kiya Sarita ne sharam ke mare apni najare jhuka li aur phone Sarita ki saheli ka tha jise receive karke apni Saheli se baat karne lagi. jisne use janamdin ki badhai dene keliye phone kiya tha.


Thodi der Sarita ne apni Saheli se baat karne ke baad phone rakha aur apni najar upar uthayi to Nishchal waha par nahi tha. Sarita bed se niche utar kar bahar aayi aur idhar udhar dekhne lagi. magar Nishchal use kahi dikhayi nahi pada to Sarita ne Use aawaz lagayi.


Sarita- Nishchal Sir. Aap kaha par hain.


Magar Use Nischal ki aawaz nahi sunai padi. Nishchal Sarita ke yaha se chala gaya tha. Sarita ne apne kamre ka darwaza band kiya aur Apne bister par late gayi aur sone ki koshish karne lagi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Bhote hi romantic scene tha nishchal aur Sarita ka aur vo call vala seen lajawab tha jab nishchal raat ko usi ke sath sone ka bola tha :D

:congrats: Good Writing Skill :congrats:
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Story fullpack lag rahi hai , woh kya kahte hai all in one type wali
Aur saath mai jo disclmair diya hai na woh pash kar essa laga mano chasni ghol rahi ho aap
Aapki stroy watch pai laga li hai
Update padh kar rebo jarure dunga mahi ji
धन्यवाद आपका महोदय।।
अब ये तो आप पाठकगण बताएंगे कि कहानी कैसी है।
हमने अपनी तरफ से पूरी कोशिश की है कहानी को अच्छा लिखने की।
आपकी टिप्पणी का इंतज़ार रहेगा।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
So

Bhote hi romantic scene tha nishchal aur Sarita ka aur vo call vala seen lajawab tha jab nishchal raat ko usi ke sath sone ka bola tha :D

:congrats: Good Writing Skill :congrats:
धन्यवाद आपका महोदय।।
अभी आगे और भी ऐसे ही दृश्य आने वाले हैं।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 33


Sarita ke yaha se nikalkar Nishchal ghar na jakar paas bane ek park me chala gaya. Aaj mausam bahut suhana tha aur thandi thandi hawa chal rahi thi. Nishchal park ke andar jakar Patthar ki bani ek baithke par late gaya aur Us Vakt
(Jis din Sarita ne ladkiyon ko bachha Singh ke Changul se Chhudaya tha Aur Nishchal Sarita Ko Thappad marne ke baad PS se Bahar aaya tha) ke ke bare me sochne laga jab usne Mohit aur Jawed ko milne ke liye bulaya tha.


********

Nischal- Main tum dono se do din se milne ki koshish kar raha hoon, lekin samay hi nahi mil pa raha tha tum dono se milne ka.

Mohit- Sir agar aap us baat se naraz hain aur saza dene ke liye ham dono ko bulaya hai to main aapko bata dena chahta hoon ki isme jawed ki koi galti nahi hai. maine Sarita madam ko sabkuchh bataya hai. agar aapko saza deni hai to aap mujhe dijiye. jawed ko nahi.

Nishchal- main tum dono ko saza dene ke liye nahi bulaya balki tum dono ko maine ek khas kam ke liye bulaya hai. ummeed hai ki is baar tum dono mujhe nirash nahi karoge.

Jawed- Yes Sir. Aap kam bataiye. ham aapke wada karte hain ki is baar koi bhi galti nahi hogi hamse.

Nishchal- tum dono ko to pata hi hai ki Sarita ne in dino sare gunde mawaliyon ka jeena haram kar diya hai. Unke kaam dhandhe ka bahut nuksan kiya hai usne. Khas kar bachha singh aur uske aadmiyo ka. jiske karan uski jaan par bahut bada khatra mandrane laga hai. kabhi bhi kisi bhi samay kuchh bhi ho sakta hai.

Mohit- Aap bilkul sahi kah rahe hain Sir. Apni madam bhi kisi mamle me Unse kam nahi hain. bahut khatarnak hain apni madam bhi, khatarnak hone ke sath sath madam jiddi bhi hain, hamne unhe investigation ke liye bahut mana kiya lekin unhone hamari baat nahi mani.

Nishchal- Jab wo meri baat nahi manti to tum logo ki baat kaise maanegi wo. Wo thodi jiddi hai aur apne man ka karti hai lekin wo bahut hi honhar aur dabang police Officer hai. aise logo ko hamare department ko bahut jaroorat hai. Isliye mujhe uski bahut chinta ho rahi hai.

main chahta hoon ki aaj se, balki abhi se tum dono us par najar rakhoge. wo jaha bhi jati hai tum dono saye ki tarah uske pichhe rahoge. PS, Ghar, Hospital ya Agar wo bachhchon ko kahin Rakhti hai, har jagah. tum logo ko agar kuchh bhi is dauran sandigdh lage to turant mujhe phone karna.

Jawed- Aapne sahi kaha Sir. Mujhe bhi aisa lag raha tha ki madam ki jaan ko khatra ho sakta hai. itna sabkuchh ho jane ke baad jaroor koi madam ko jaan se marne ki koshish karega.

Nishchal- Isiliye ye jimmedari main tum dono ko saup raha hoon. apne kaam me hamesha ki tarah mustaidi dikhana.

Mohit- Thik hai Sir. Ham log madam ke pichhe saye ki tarah lage rahenge aur aapko pal pal ki suchna denge.

Nischal- Mujhko tum logo se yahi ummeed hai. Aur dhyan rahe is baat ka pata Miss Joshi ko bilkul bhi nahi chalna chahiye ki tum dono uspar najar rakh rahe ho. Agar is baar tum dono se kuchh bhi gadbad hui to tum dono samajh sakte ho ki main kya karunga tum dono ke sath.

Mohit- Bahut ache se jaan aur samajh gaya hoon Sir. Ab ham chalte hain. aapko samay samay par phone karte rahenge.


Itna kahkar Dono Waha se chale jate hain Aur Nishchal bhi apne kaam ke silsile me daure par chala jata hai. Do din baad Sham ko lagbhag 10.15 baje Nishchal ke paas Jawed ki call aati hai. phone uthakar Nishchal ne baat ki.


Nishchal- Haan jawed. Koi khabar.

Jawed- Sir, madam ke ghar ke bahar 1-2 log dikh rahe hain Sir.

Nishchal- To isme nayi baat kya hai Jawed. koi rahgeer honge. aane jane wale honge.

Jawed- Nahi Sir. Ye log bhaut der se yahi par khade huwe hai. aur baar baar madam ke ghar ki taraf hi dekh rahe hain.

Nishchal- Kya Sarita ghar par hai is Vakt.

Jawed- Nahi Sir. Dekh kar to lag nahi raha hai ki wo abhi nahi aayi hain, Kyonki maine unhe jate huwe nahi dekha aur abhi tak unke kamre ki light bhi band hai.

Nishchal- thik hai jawed. main pahuch raha hoon waha.

Jawed- Sir Ek baat aur. ye log aapas me kuchh baat kar rahe the, jisme se ek ne kaha ko wo pichhle 2 din se ghar nahi aayi hai, lekin shayad aaj aaye. aur aaj hi uska kaam tamaam karna hai.


Nishchal sochane lagta hai ki Sarita wakai me 2 din se ghar nahi gayi hai. ek din to wo hospital me so gayi thi aur doosre din didi ke sath NGO me thi. to ho sakta hai ki aaj wo ghar jaroor aaye. mujhe use kisi bhi tarah ghar nahi jane dena hai. agar wo ghar gayi to nischit hi aaj uski jaan chali jayegi. mujhe kuchh karna hoga. main Miss joshi ko phone karke ghar jane se rokta hoon.


Itna sochkar Nishchal ne Sarita ko phone kiya lekin phone not recheable aa raha tha. do-tin baar koshish karne ke baad jab phone connect nahi huwa to Nishchal ne Jawed se baat ki.


Nishchal- Jawed tum vahi ruko. main abhi pahuch raha hoon waha. wo Sarita ko nuksan pahuchane ke liye hi waha par aaye hain. Tum najar rakho unpar.

Jawed- Yes Sir. main inpar najar rakhunga.


Itna kahkar Nishchal ne phone rakh diya aur Sarita ke Quarter ki taraf Chal pada. Waha pahuch kar usne apni gadi jawed ko dete huwe kaha.


Nishchal- Kaha hain wo log.

Jawed- Sir wo log abhi kuchh der pahle hi yaha se chale gaye hain. Sarita madam bhi chand minute pahle hi aayi hain.

Nishchal- Achha tum ab jao aur mere phone ki pratiksha karna. jab main phone karunga to tum aur Mohit aa jana.

Jawed- Agar aap kahe to main bhi aapke sath chalu.

Nishchal- Nahi Jawed. Abhi filhal jaroorat nahi hai tumhari. tum bas chaukanne rahna aur mere phone ka intezar karna.


Nishchal ki baat sunkar Jawed waha se Nishchal ki gadi lekar chala jata hai. Nishchal ne Sarita ke phone par call kiya to wo busy aa raha tha. kai baar try karne par bhi jab phone busy raha to Nishchal ke paas ghar ke andar jane ke siway aur koi marg nahi bacha. Jab wah Boundry koodkar ghar ke andar dakhil huwe to use do parchhaiya. kamre me jati hui dikhayi di. Nishchal ne furti dikhate huwe Light off ki aur Sarita ke paas pahuch gaya.



********

tabhi bahar kisi gadi ke horn ki aawaz se Nischal apni soch se bahar aaya. Us samay Raat ke 2 baj rahe the. uska ghar jane ka mod nahi huwa to usne socha ki wo park me hi so jata hai, lekin waha jheengur aur anya kide makaudo ki aawaz uski neend disturb kar rahi thi. isliye kuchh der baad wo uthkar apne doosre wale ghar chala gaya jaha par usne dadi ko rakha tha.


Subah Sarita ki neend khulti hai subah ke 8 baj rahe the. wo jaldi se naha dhokar taiyar hokar pooja path karke NGO ke liye nikal gayi. Jab wo NGO pahuchi to sabhi use dekhkar bahut khush huwe. Usne sabhi ke liye choklate liya tha. usne sabhi ko choklate dekar munh meetha karwaya.


Tabhi Sarita ki najar Dadi ke upar padi to wo unhe waha dekhkar khush bhi hui aur chakit bhi ho gayi. Sarita ne dadi se poocha.


Sarita- Aree dadi aap kab aayi. main Sir se aapke bare me baat karne hi wali thi.

Dadi- Aaj subah hi Police bahu mujhe yaha par lekar aaye aur mujhe meri beti se milwaya. police babu bahut hi aachhe hain beti.

Sarita- (bhunbhunate huwe) Haan wo to pata hai ki wo kitne ache insane hain. poori mehnat maine ki aur Dadi ko Gudiya se milwane ke creadit khud le liya. matalabi insane.

Dadi- Lekin Police babu ne ye bhi bataya ki Meri bachhi ko tumne Bachha singh se Bachaya. Gudiya ne bhi mujhe tumhare bara me bataya ki kaise tumne uska khyal rakha


Ye baat sunkar Sarita bahut khush ho gayi. use apni pichhli kahi gayi bato ka afsos hone laga, ki nahak hi usne Nishchal ko bhala bura kaha. Tabhi Waha par Akkku daudati hui aayi aur Sarita se kaha.


AKku- Are didi. aap sabko choklate kyon bant rahi hain. Mujhe choklate bahut achhi lagti hai. aap sari choklate mujhe de dijiye. main sabse chhoti hoon na. main kisi ko bhi choklate nahi doongi .

Sarita- (hanste huwe) lekin ye to galat baat hai Akku. Achhe bache to sari chije apne dosto aur sakhiyo se mil bant kar khate hain. main to samajhti thi ki tum bahut achchii bacchii ho, lekin tum to sari choklate akele hi khana chahti ho. iska matlab tum achhi bachhi nahi ho.

Akku- Nahi main bahut achhi bachhhi hoon didi. mujhe ghar me sab bolte hain ki Akku bahut achhi bachhi hai.

Sarita- tab to tumhe choklate sabke sath bantkar khana chahiye phir.

Akku- Haan didi main sab ko choklate dungi. aap mujhe poori choklate de dijiye.


Abhi Akku aur Sarita baat kar hi rahe the ki Waha par Gudiya aa jati hai. Gudiya ne Akku se kaha.


Gudiya- Akku tumne didi ko birthday wish kiya ya nahi.

Akku- Kya aaj didi ka birthday hai. lekin di to cack layi hi nahi hain. ye to chhoklate layi hain.

Sarita- Haan main cack lana bhool gayi akku.

Akku- Lekin birthday par sabhi cack kat-te hain fir apna birthday manate hain. to aap kyon nahi lekar aayi cack.

Sarita- Chalo mere sath abhi cack kat-te hain fir.


Sarita ki baat sunkar Akku uske sath chal padi. Sarita Akku ka utawalapan dekhkar bahut khush ho rahi thi. Sarita ne kal hi soch liya tha ki is baar wo ghar nahi ja rahi hai to apna birthday NGO me hi in bachho ke sath hi manayegi. SArita ne NGO ke ek karmchari ko bekary bhejkar cack mangwaya. Sarita ne Us Bekery ka address bhi us aadmi ko de diya. jaha par usne kal hi cack ka order de diya tha.


thodi hi der me wo karmchari cack lekar aa gaya aur bahar ek table lagakar cack us par rakh diya. sabhi bachhe Sarita ko gherkar khade ho gaye. Sarita se jyada khush to Akku thi. Cack dekhte hi uske munh me pani aa gaya. Usne khushi se uchhalte huwe Sarita se kaha.


Akku- Chaliye didi. jaldi se cack katiye. mere munh me pani aa raha hai.

Sarita- Main nahi Akku. Cack tum katogi.

Akku- Nahi didi. Mummy kahti hain ki jiska birthday hota hai cack wahi kat-ta hai. to birthday aapka hai to cack bhi aap hi katogi na.

Sarita- Chalo thik hai dono log milkar cack kat-te hain.


Fir Sarita ne Akku ke hath me chhuri pakda di aur uska hanth pakadkar cack katne lagi. cack katne ke baad bachho ne Sarita ko birthday wish kiya. Sarita ne sabhi ko cack khilaya aur Sham ko wapas aane ka bolkar PS ke liye nikal gayi.


Sarita ne PS me kisi ko nahi bataya tha ki Aaj uska janamdin hai to kisi ko pata nahi tha is bare me. SArita ne PS pahuch kar roj ke jaise kaam karne baith gayi. Kuchh der baad Rawat Sir ne Sarita ko kaam ke silsile me Sarita ko apne cabin me bulaya. Sarita Rawat sir ke cabin me chali gayi.


Jaise hi Sarita Rawat sir ke cabin me gayi. usi Wakt Nischal PS me aata hai Aur Sidha Sarita ke cabin me chala jata hai, lekin SArita apne cabin me nahi thi to Nishchal intezar karne lagta hai Sarita ko. Sarita Rawat Sir ke paas thi aur Uska mobile uske cabin me hi rakha tha. kuchh der intezar karne ke baad Jab Sarita nahi aati to Nischal Uske cabin se nikalne ki sochta hai.


usi Wakt Sarita ka mobile bajne lagta hai. Nishchal ne Screen par dekha to Jaanu naam show kar raha tha. Nishchal ne socha ki ye shayad Sarita ka Boyfrnd hoga. kuchh der bajne ke baad phone band ho gaya. kuchh pal me fir se dobara call aayi aur kuchh der bajne ke baad band ho gayi. kuchh pal baad tisri baar jab call aayi to Nishchal jhunjhla gaya aur man me hi bola.


Nishchal- (Man me) Kistna Chipku hai ye SArita ka Boyfrnd. Isko samajh me nahi aata ki agar Sarita phone nahi utha rahi hai to busy hogi, kuchh der baad karu, lekin nahi, sabar hi nahi ho raha hai isase to. phone par phone kiye pada hai. Sahi bhi hai. Kisko sabar hoga Sarita jaisi ladki agar uski Girlfrnd ho. Sundar, bahadur aur apne kam ke prati wafadar. dekhu to aakhir kiska naseeb itna jordar hai jise Sarita jaisi girlfrnd mili.


Yahi sochkar Sarita ka phone Nishchal ne utha liya. lekin tab tak call cut ho gaya tha. kuchh pal baad fir se phone bajne laga to nishchal ne phone receive kar liya aur jaise hi apne kan me lagaya. ek dandanati hui madhur aur tez aawaz uske kano se takrai. ye Manisha ki aawaz thi.


Manisha- Hello didiya. kaha ho tum. kab se tumko phone kar kar ke pareshan ho rahe hain aur ek tum ho jo phone hi nahi utha rahi ho. ham log station ke bahar khade hain. koi ricsha aur auto wala nahi mil raha hai. tumhare quarter tak kaise aaun.

Hello didiya. mujhe pata hai tum gussa karogi ki maine tumhe aane ki khabar kyon nahi ki, lekin ham tumhe surprise dena chahte the. isliye agar bata dete to wo surprise kaise rahta fir. helloo didiya. sun rahi ho na. are kuchh boli bhi didiya.

Nishchal- (apne man me) Are yaar ye to apni bahan se bhi chaar kadam aage hain. phone uthane ki deri me hi isne itna kuchh suna diya. baap re. badi sher hai to chhoti sawa sher hai. dono bahano se to bach kar rahna padega. (manisha se) Hello.

Manisha- Aap kaun hain aur meri didiya Sarita Joshi kahan par hain.

Nishchal- Wo to Sir ke sath meeting me baithi hui hain.

Manisha- Achha, fir aap kaun hain aur meri didiya ka phone aapke paas kya kar raha hai.

Nishchal- Main bhi unke sath hi kaam karta hoon. unhone hi mujhe phone sambhal kar rakhne ke liye diya hai.


Nishchal ne Manisha se jhooth bol diya, lekin use nahi pata tha ki uska ye jhooth use bhari padne wala hai. Nishchal ki baat sunkar Manisha ne kaha.


Manisha- Achha. to aap meri didiya se niche post par kaam karte hain. I think ki aap didiya ke driver hain. tabhi didiya ne apna phone aapko diya hai. to driver jao aur meri didiya ko bolo ki uski janu ka phone hai.


Nishchal -(chakit hote huwe man me) Lo bahut smart bante firte the na. lo driver ban gaye ab. aur jhoth bolo. sidhe nahi bata sakte the ki uske boss ho. nahi. masti chadhi thi na to ab driver banker bhugto. (manisha se) Ji jaroor. abhi kuchh der baad jab meeting khatam ho jayegi to main unhe bol dunga.

Manisha- Tab tak ham yaha baithkar makkhi marein kyaa. Aap abhi andar jaiye aur meri didiya ko boliye ki uski bahan aur uske mummy papa uska station ke bahar intezar kar rahe hain.

Nishchal- Lekin abhi to meeting…………

Manisha- (bich me hi) Ab jyada juban na ladao mujhse. nahi to didiya ko bolkar tumko naukari se nikalwa doongi. Samjhe ya nahi samjhe. ab chupchap jao aur didiya ko mera sandesha do.

Nishchal- (man me) Are baap re. Kya ladki hai yaar. sidhe dhamki par utar aayi. Bade miya to bade miya. chhote miya subhan allah. (Manisha se) madam ko to abhi samay lagega. rukiya main aata hoon aap sab ko lene ke liye.

Manisha- Haan ye hui na baat. ab aaye line par. jaldi se aana. jyada der nahi lagana nahi to didiya..

Nishchal- (bich me) Haan mujhe pata hai ki aap apni didiya se bolkar mujhe naukari se nikalwa dengi. rukiye main jaldi hi aa raha hoon.


Itna kahkar Nischal ne phone rakh diya. Uske chehre par muskan aa gayi. Usne apne dimag me kuchh naya plan kiya aur Sarita ke cabin se bahar nikal gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
R

Rockstar Rocky

Kahani ke kuchh ansh (Saar Sankshipt)


Sarita JEEWAJ JYOTI HOSPITAL ke Operation Teater Ke parisar me pareshani ki halat mein yahan se waha chakkar kaat rahi thi. Uske Sharir par khaki rang ki Vardi thi aur chehare par Pasina Tha. Uski aankhhe Aanshuo se bhari hui thi. Pasine se uski khaki Vardi Bheegkar Uske jism se chipak gayi thi. Vardi par jagah jagah khoon laga huwa tha, Lekin use is baat ka hosh nahi tha. Wahi paas ki bench par 2 police wale aur bhi baithe huwe the. Jo Sarita ko Idhar Udhar Chakkar lagate huwe dekh rahe the. Wo kabhi kabhi Apni Hatheli Maslne lagti to kabhi kabhi Apni Mutthiyan bheej leti. Uske chehre ke bhav Har second badal raha tha. Paas baitha police wale se jab ye na dekha gaya to unme se ek ne Sarita se kaha.


Police 1- Madam Aap pareshan mat hoiye. Aapke bhaiya ko kuchh nahi hoga. Wo bilkul thik ho jayenge. Aap himmat se kaam lijie madam.

Sarita- Kaise Himmat se Kaam loon main haan kaise himmat se kaam loon. Main kaisi bahan hoon. Maine apne inhi hantho se apne bhaiya ko goli mari. Jis bhaai ke hantho me har saal rakhi bandhti thi, jiski salamti ki bhagwaan se duwa mangti thi. Usi bhaai ko maine apne inhi hanto se shoot kiya hai. Jis bhaai ko dhoondhne ke liye maine kya nahin kiya. jis bhaai se milne ke liye din-raat main thik se soyi nahin. usi bhaai ko maine apne inhin hanthon se goli mari hai. Main bahan kahlane layak nahi hoon. Bahan ke naam par kalank hoon main.


Itna kahkar Sarita ghutanon ke bal jameen mein baith gayi aur jor jor se rone lagi. Ye dekhkar ek police wala uske paas aaya aur uske kandhe par apna hath rakhkar kaha.


Police 2- Nahi madam. Aap aise mat roiye. Aap chup ho jaiye. Aapne kuchh galat nahi kiya. Aapne apna Farj nibhaya hai.

Sarita- Are aisa farj kis kaam ka Jisko nibhane ke liye mujhe apne haantho se apne jaan se pyaare bhaiya ko goli maarni padi. Dhikkaar hai mujhe apne aap par. Agar mere bhaiya ko kuchh ho gaya to main khud ko kabhi maaf nahin kar paungi. Mar jaungi main.


Tabhi hospital ke bahar ek auto aakar rukta hai us auto se Auto driver, ek mahila aur ek ladki utarkar bhaagti hui Hospilat me aati hai, Mahila ne aate hi Sarita ke gal par ek jhannatedar thappad mara aur rote huwe bolne lagi.


Mahila- Ye kya kiya Sarita tumne Ye kya kar diya. Mere bete ko maar diyaa tumne. Apne bhaai ko goli maar di tumne. Meri mamta ka khoon kar diya tumne. Meri Khokh ujaadane ki koshish ki hai tumne. Are wo mera beta hi nahin tera bhaai bhi hai. Aur tune apne bhaai ke upar hi goli chala diii. Agar mere bete ko kuchh ho gaya na Saritaa to main tujhee jeewan bhar maaf nahi karungii.

Auto Driver- Ye kya kah rahi hoo tum bhagyawaan. Tumhe to apni beti par garv hona chahiye ki wo kitni bahadur hai. itni kathinaiyon aur Pareshaniyon ke bawjood bhi wo apne Farz aur Sachhai ke raaste se nahi bhakti. Usne apne Farz aur rishte me farz ko ahamiyat di. Aur tum usko hi dosh de rahi ho. Ek baar pahle ye to jaan leti ki Sarita ne aisa kyon kiya. Mujhe Sarita ne phone karke pahle hi sab kuchh bata diya tha.

Mahila- Are aisi kaun si baat ho gayi jo isne mere bete ko goli maar di. Are wo iska bhai hai. Jiski yaad mein din raat roti rahti thi. Jisko kaha kaha nahin dhoondha hamne. Kam se kam ek baar ise apne bhaaii se baat to karni chahiye thi. Lekin nahin ab to ye inspector ban gai hai na to apne man ka hi karegi ye. Tumne bahut galat kiya hai Sarita. Main tujhe kabhi maaf nahi karungi.

Ladki- Ye kya bol rahi ho mummy. Aap didiya ko dekho. Inko dekhkar aapko lagta hai ki inhone Jaanbujhkar bhaiyaa par goli chalai hai, bhaiyaa ko jaan se marne ki koshish ki hai. Are Bhaiya ko sabse jyada pyaar didiya hi karti hain. Fir bhi aap aisa bol rahi hain. Are kuchh to majboori rahii hogii didiya ki. Mujhe apniii didiya par puraa bharoshaa hai. Didiya koi galat kaam karr hii nahii sakti.


Itna kahkar wo ladki jakar Sarita ke gale lag jati hai. Sarita apni bahan ke gale lagkar phoot phoot karr rone lagti hai. Tabhi Opration Teater ka darwaza khulta hai aur doctor bahar aate hain aur jo batein batate hain. Use sunkar sabhi rahat ki sans lete hain.


Doctor- Ghabrane ki koi baat nahi hai. Mareej ko do goli lagi thi. Hamne dono goli nikal di hai aur ab mareej khatare se bahar hai. Abhi unhe injection de diya hai. To abhi wo aaram kar rahe hain. Neend se jaagne ke baad aap sab log unse mil sakte hain.


Itna kahkar doctor waha se chale jate hai. Sarita air uske gharwale bahar lagi bench par manish aur hatash hokar baith jate hain.



Sath Bane Rahiye.
Sab se pahle toh aapki writing skill ko salam, esa lag raha tha ki kahani aakho ke saamne hi chal rahi thi.
Ab aata hu story ke iss sence par
Awesome tha ji , kaafi thriller se bahara huva
Sarita jo ek inspector hai, ussne galti se apne bhai jo sayade kahi kho gaya tha uss goli maar di
Wo ess baat se andar tke hil chuki hai
Aur uski maa , kevale bete ki fikar mai kho rakhi hai
Usse apni beti ke mindset se koe farq nahi pade raha
Wahi sarita ka baap , sarita ke action ke saath hai aur uski bhen bhi
jab ye pariwar apne iss mashle se juzar rahe hai tabhi doctir aata hai aur kahta hai ki sarita ka bhai khatre se bahar hai
Par swale ye hai ki jaan se pyara bhai aakhir kaha tha aur esa kya huva ki sarita ne usse goli maar di
 
ADMIN :D
Senior Moderator
12,182
10,224
145
धन्यवाद आपका महोदय।।
अभी आगे और भी ऐसे ही दृश्य आने वाले हैं।

साथ बने रहिए।।
Sath hi tho ana chate h but aap ane nahi deti sath :D
 

Top