Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Well-known member
1,890
5,048
145
UPDATE- 10


Fir anand ji Aur Sarita wapas ghar ko aa gaye. Sarita ne Raani ji aur Manisha ko bhi ye bata diya ki uske paas hone ki ummeed kam hai.


Near About Four Month Later


Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ka Result aa gaya tha. Jisase Sabhi Ghar walo ke sath sath Sarita ke chehre par bhi pareshani saf dekhi ja sakti thi. Sarita ko bahut bechaini ho rahi thi ki uska examination ka result kya hoga. Uski himmat nahi ho rahi thi ki wo ApnA result dekhe.


Manisha ke baar baar kahne par jab Sarita ne parinam dekhne ki himmat nahi dikhayi to Manisha ne khud hi result dekhne ke liye Sarkari result ki Site open ki aur result dekhne lagi. Manisha ke sath Sarita bhi bagal me baithi thi. Raani ji aur Aanand ji bhi sath me hi baithe huwe the.


Manisha ne roll number dala aur Search par click kar diya. Result samne tha. Sarita ne jab dekha to uski aankho se aanshu bahne lage. Kyonki Screen par likha tha Result not found. Sairta rone lagi. Uski itne din ki mehnat par ek jhatke me pani phir gaya. Wo rote huwe Aanand ji se boli.


Sarita- Papa main haar gayi. Maine apna sapna poora karne ke liye din raat ek kar diya tha, Lekin itni mehnat ke bavjood mera sapna toot gaya papa.
9
Aanand ji- Kuchh nahi huwa beti. Is baar nahi huwa to tum agli baar aur koshish karna. Mujhe tumpar porra bharosha hai. Tum is baar nahi paas hui to kya huwa agli baar jaroor paas ho jaogi.


Aanand ji Sarita ko dilasha de rahe the. Udhar Manisha ko shak huwa ki usne shayad galat roll number dal diya hai to usne fir se roll number check kiya aur Chillate huwe boli.


Manisha- Are didiya rowo mat. Maine roll number galat dall diya tha. Main dobara dekhti hoon.


Manisha itna kahkar dobara se roll number dal kar Search kiya aur Result dekhte hi Khushi se uchhal padi aur Sarita se lipat gayi aur boli.


Manisha- Huuuuurrrrreeeee. Meri didiya paas ho gayi. Didiya paas ho gayi.


Sarita ko to uski baato par vishwas nahi huwa to wo mobile hanth me lekar screen par dekhne lagi. Jisme roll number ke samne pass/selected likha huwa tha. Aur rank 123th aayi thi. Sarita ki aankho me Khushi ke anshu aa gaye. Wo Raani ji aur Aanand ji ke pair chukar unke gale lagte huwe boli.


Sarita- papa. Main paas ho gayi. Maine apna sapna sach kar dikhaya. Maine apna wada poora kiya papa. Main bahut khush hoon aaj. Kash aaj bhaiya yahan hote to wo bhi bahut khush hote.


Sarita ko aaj fir se Abhishek ki yaad aa gayi. Waise Sarita ki aadat me ye sumar ho gaya tha ki jab bhi koi Khushi ka mauka aata tha to Sarita ek baar Abhishek ko jaroor yaad karti thi. Aanand ji ne Sarita ke sir par hanth ferte huwe kaha.


Aanand ji- mujhe tumpar poora bharosha tha beti ki tum ye pariksha jaroor paas kar logi. Ab Abhishek ko yaad karna chhod de 8 varsh se jyada ka samay ho gaya hai usko ghar chhodkar gaye hue. Pata nahi kis haal me hoga. Wo kya kar raha hoga. Wo hai bhi ya nahi.


Aakhiri shabd bolte huwe Aanand ji ki aankho me bhi aanshu aa gaye. Aakhir apne bete ke jinda na hone ka soch kar kis baap ki aankho me anshu nahi aayenge. Unki baat sunkar raani ji ne kaha.


Raani ji- ye kaisi bat kar rahe hain aap. Is Khushi ke mauke par aap Ashubh bate kyon kar rahe hain. Mera beta jaha bhi hoga sahi Salamat hoga. Dekhna ek din wo apni maa ke paas jaroor laut kar aayega.

Sarita- Aur nahi to kya. Bhaiya ko kuchh nahi hoga. Main unhe khud dhondh kar laungi.

Manisha- Ye hui na baat didiya. Mujhe tum par poora bharosha hai didiya. Tum bhaiya ko jaroor dhoondh nikalogi.


Isi tarah ye sab baate karte rahe. Sarita kaUttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) achchhi rank se clear kar lena bahut badi baat thi. Kyonki us area mein aur aas paas ke kai kilometer ke area mein koi bhi is pariksha ko clear nahi kar paya tha aur Sarita ne Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ki pariksha ko pahle hi prayash me crack kar liya tha.


Upar se wo ladki thi , Isliye ye charcha ka Vishay ban-na hi tha. Dophar ko ghoshit huwe result ke karan aas paas ke kshetro me ye kabar ki Aanand Ji ki beti Sarita ne pahle hi prayash me Uttar Pradesh Provincial Civil Service (UPPCS) ko clear kar liya hai, jangal me aag ki tarah fail gayi.


Poore kshetro me log Sarita ki tareef karte nahi thak rahe the. Jaise jaise logo ko pata chalta gaya. Waise waise badhai dene walo ka tanta lag gaya Aanand keg har.


Jo bhi badhai dene aata aanand ji se unki Aur Sarita ki bahut tareef karte. Jise sunkar unhe apni beti ko bahut garv ho raha tha. Unki aankho me Khushi ke aanshu aa gaye the. Aaj Sarita ke karan unhe bahut maan samman mil raha tha.


Raat bhar badhai dene walo ka tata laga raha, jo aanand ji ko pasand nahi karte the wo bhale hi samne na aaye hon lekin pith pichhe unke munh se bhi Sarita ke liye tareef nikli. Badhaii dene walo me Wo inspector bhi tha. Jiski patni ne Sarita ke character par sawal uthaye the. Inspector Achha aadmi tha.


Sarita ki Shadi tootne ke baad jab wo ghar wapas aaya tha to use apni patni ke bartav ke bare me pata chala tha to usne apni patni ko bahut data tha, lekin patni aadat se majboor thi isliye use inspector ki bato se koi fark nahi pada tha. Sarita ke pass hone ki khabar sunkr wo jal bhunkar raakh ho gayi thi. Use ek jalan si ho rahi thi aanand ji aur uski family se.


Us samay Inspector chhutii par ghar aaya huwa tha. Jab use pata chala ki Sarita ne UPPCS ka exam crack kar liya hai pahle hi prayash me to wo bhi sarita ko badhai dene ke liye aaya tha. Usne Sarita ko badhai dete huwe kaha.


Inspector- Bahut Bahut badhai ho beti. Mujhe bahut Khushi hui tumhare bare me sunkar.

Sarita- Dhanywad Chacha ji. Ye Sab mere papa aur mummy ke karan hi sambhav ho paya hai. Kyonki mera mata pita ne har mushkil paristhitiyon me mera har kadam par sath diya hai.

Inspector- Aapko bhi bahut bahut badhaii bhaai sahab aur bhabhi ji. Aapne sach me apni bachhiyo ko bahut ache sanskar diye hain. Maine apki bachhiyo ki bahut tareef suni hai.

Aanand ji- Dhanywad aapka Sahab. Ye to aap logo ka badappan hai jo aap log mujhe itna samman de rahe hain. Baki ye sab meri beti ki mehnat ka phal hai jo usne apne sapne poora karne ke liye kiye the.

Inspector- Aapki beti bahut mehanti hain tabhi usne pahle hi prayash me exam clear kar liya. Sarita beta, tum janti ho na ki ye job kaisi hoti hai.

Sarita- Thoda bahut janti hoon chacha ji. Baki ka join karne ke baad sikh jaungi.

Inspector- Posting Allahabad me to nahi hogi tumhari, isliye ye sochkar pareshan mat hona. posting chahe jaha bhi ho. Bas tum apna kam poori mehnat aur imandari se karna. Jaise tumne abhi tak kiya hai. Tumhe aur jyada safalta milegi.

Sarita- Ji chacha ji. Main apni job ke prati poori tarah se samarpit rahoongi.


Press wale bhi aaye. Unhone Sarita aur uske mummy papa ka interview liya. Sarita ne apne interview me apne mummy papa Manisha ke bare me hi jikar kiya tha. Ki unhone kis tarah se har kathin paristhitiyon mein uska sath diya tha. Sath hi sath usne apne bhaai ke bare mein bhi jikar kiya.


Isi tarah poora tin din nikal gaye. Rishtedar bhi Sarita ke paas hone ki khabar sunkar ghar aaye the badhai dene. Sarita ka interview aur uski photo newspaper mein bhi chhapi thi. Dhire dhire samay gujarta ja raha tha. Sarita ke selection ke baad kuchh ache rishte bhi aaye the. Lekin aanand ji ne Sarita ke upar aakhiri nirnay chhod diya tha ki agar wo abhi aur samay chahe to le sakti hai.


Kyonki Sarita ki Sarkari job lag jane ke baad Aanand ji ko Uski shadi ki jyada chinta nahi rah gayi thi. (Jyada chinta se matlab hai financial problems nahi rah gayi thi). Sarita ne Abhi 2 Sal ke liye Shadi se mana kar diya. to aanand ji ne Rishta bhejne wale ko bata diya. dhire dhire Sarita ki joining ka samay bhi nirdharit ho gaya


Samay ko jate der Nahi lagti aur Sarita ke sath bhi aisa hi huwa. Uski training poori ho chuki thi aur Kal usko joining ke liye doosre shahar jana tha.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Sarita kee mehanat rang layee aur uss ne UPSSC kee pareeksha pahale hee prayaas mein paas kar lee hai.

Lekhak ne aanand aur unake parivaar kee bhaavanaon ko bahut hee kushalata se prastut kiya hai. Aarthik tangee ke din khatm ho gaye hein.
Aage padhane ke liye utsaahit... :reading1:
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Aik ladkee yuvaavastha se hee apane dil mein ek aise purush kee chhavi ko apne mann me basaatee he jo us se pyaar karega aur apane pyaar aur sneh se usaka dil jeet lega aur woah chaahatee hai ki us ke mann ka devtaa uss ke saath saath us ke parivaar ka bhi sammaan karega.
Iss ke vipareet, jab woh dekhatee hai ki uss ke pita ko uss kee shaadee ke liye doolhe ko dahej aur paisa dena pad raha he, to woah apamaanit mahasoos karatee hai aur mahasoos karatee hai ki woh aik bekaar aur avaanchhit vastu ban gaee hai. Woh yeh bhee dekhtee hai ki uss ke pita jis ka uss ne jeevan bhar sammaan kiya tha, apamaanajanak tareeke se jhuk raha hai aur uss kee khushee ke liye bheekh maang rahaa hai; wahaan woh na keval bhaavanaatmak roop se doolhe se judne mein viphal rahatee hai balki uss ka apna svaabhimaan bhee kaheen kho jaata hai. Woh svargeey gaanth achaanak maut kee gaanth ban jaatee hai, jis se us kee har bhaavana mar jaatee hai.

Sarita, jo pahale se hee apane bhaee kee anupasthiti ke kaaran dukhee thee, uss ko sabhee apamaanon se gujarana pada. Uss ne bilkul theek kiya ke bohat bahaaduree se maans aur bhaavanaon ke aise vyaapaaree se shaadee karne se inkaar kar diya.

Adbhut lekhan kaushal .... pratyek bhaag ke saath, lekhak apane kaushal ko khoobasooratee se prakat kar rahee hein.... attiuttam.... :yourock:
धन्यवाद आपका महोदय।
इस दुनिया मे कई तरह के लोग हैं। कई ऐसे होते हैं जो दूसरों के दुःख को अपना दुःख समझते हैं तो कई ऐसे होते हैं जो दूसरों के दुःखों में अपना हाथ सकते हैं। सरिता के साथ भी ऐसा ही हुआ। उसकी शादी टूटने के बाद इंस्पेक्टर की पत्नी ने जो हंगामा किया था वो सरिता का मनोबल और उसका आत्मविश्वास तोड़ने के लिए काफी था। बधुत ही गिरी हुई हरकत की उसने।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Jo log sakaaraatmak hote hain aur apanee kshamataon par bharosa aur vishvaas rakhate hain, woh vipareet paristhitiyon ko badal sakate hain aur pratikool paristhitiyon mein woh apnee kshamata se oopar uthate hue naa keval kathinaiyon ka saamana karate hain balki bhaagy ko badalane kee ichchha bhee rakhate hain. Aise logon mein ladane aur jeetane ka saahas hota hai.

Sarita aik aisa charitr hai jisamen vipareet paristhitiyon se ladane kee ichchhaashakti hai aur usane (UPPCS) ke liye pratispardha karne aur Police bal mein shaamil hone ka nirnay kiya. uss ne paathakon ka dil jeet liya he.

Aanand ne bhee samajhadaaree se kaam liya hai aur apnee betee ko do saal ka samay dene ka nirnay liya hai.

Aik aur adbhut bhaag... Sahaj pravaah mein bhaavanaon aur ghatanaon ka shaanadaar varnan... :flower:
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय।।
रीता के ऊपर गमों का पहाड़ टूट पड़ा था लेकिन फिर भी उसने अपनी हिम्मत नहीं हारी। इंस्पेक्टर की पत्नी ने वो आरोप लगाया था उसपर उसका उसे जवाब देना था वो भी इस तरह से की उसकी गूंज सदियों तक उसे सुनाई दे। सरिता ने दृढ़ निश्चय किया अपने पापा का सिर गर्व से ऊंचा करने के लिए।।
साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Sarita ne apna kaushal dikhaaya hai aur usakee pratibaddhata ne use likhit pareeksha mein achchhe numbers ke saath utteern karane ke lie prerit kiya hai.

Interview ko lekar Sarita aur uss ke Pita ke beech baatacheet shaanadaar rahee. Lekhika ne apnaa hunar dikhaaya. Aik pita kee bhaavanaon ko yathaarth roop se likhane aur prastut karane ka kya hee shaanadaar tareeka hai ki vah apanee betee ka manobal kaise kam nahin hone denge.

Laajavaab... vaakee prabhaavashaalee sanvaad lekhan... :flowers:
धन्यवाद आपका महोदय।
सरिता ने अपने सपनों को पूरा करने के लिए जीतोड़ मेहनत की रात दिन एक कर दिया आनंद जी ने भी सरिता का भरपूर साथ दिया । आखिर सरिता ने पहली बार उनसे कुछ मांगा था तो वो मना कैसे कर सकते थे।
।साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Sarita kee mehanat rang layee aur uss ne UPSSC kee pareeksha pahale hee prayaas mein paas kar lee hai.

Lekhak ne aanand aur unake parivaar kee bhaavanaon ko bahut hee kushalata se prastut kiya hai. Aarthik tangee ke din khatm ho gaye hein.
Aage padhane ke liye utsaahit... :reading1:
धन्यवाद आपका महोदय।।
जब सरिता ने इतनी ज्यादा मेहनत की थी तो उसका परिणाम तो उसे मिलना ही था। वो परीक्षा पास हो गई थी।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 42


Mere kamre me aane ke baad Nishu ne mujhe udas dekhkar mujhse poocha.


Nishchal- Kya baat hai Di. aap Udas lag rahi hain.

Main- Nishu main mummy papa se bahut dino se kuchh kahna chahti thi lekin kah nahi pa rahi thi, lekin ab lagta hai ki mujhe mummy papa se baat karni hi padegi.

Nishchal- Batao na di. Kya baat karni hai Aapko mummy papa se.

Main- Dekh Nishu tu meri baat sunkar gussa na hona. Main ek ladke se pyaar karti hoon aur usase shadi karna chahti hoon. Mujhe mummy papa se yahi baat karni hai.

Nishchal- Kya baat kar rahi hain di. ab aap apni marji se shadi karengi.

Main- Nahi Nishu. Mujhe Mummy papa aur tumhari marji se shadi karni hai. Uska bhi yahi kahna hai ki apni shadi gharwalo ki marji se hogi.

Nischal- Agar aisa hai to main us ladke se pahle milonga aur usase baat karunga. Agar mujhe sab kuchh thik laga to main khud mummy papa ko manaunga is shadi ke liye di.

Main- Sach me Nishu. Tu khud mummy papa se baat karega.

Nishchal- Haan di. agar mujhe ladka pasand aa gaya to main aapki love Marriege ko Arrange marriage bana dunga di. aap bilkul tension mat lo. Meri di ki Khushi ke liye main kuchh bhi kar sakta hoon. Lekin ye tabhi hoga jab wo ladka mujhe thik lagega to. Aap unka Adress aur Photo mujhe de dijiye.


Nishu ki baat sunkar main nishchint ho gayi. maine Nishu ko Anant ka Pharmecy wala Address aur ek Photo de di. kyonki Itne din mein main Anant ke baare me itna to jaan hi gayi thi ki wo kaisa hai.

Isliye mujhe poora bharosha tha ki Nishu ko Anant jaroor pasand aayega, lekin kahte hain na ki jo kuchh soche agar wo mil jaye to fir kismat ka kya kam.

Sarita- Kyon di. Aap aisa kyon kah rahi hain.

Savi- main aisa isliye kah rahi hoon ki jab tum poori kahani sunogi tab tumhe khud samajh aa jayega.

Sarita- Thik hai di. aage kya huwa.

Savi- to suno Age. Kuchh din baad Nishu ghar aaya. Main Nishu se milne ke liye bahut utsuk thi. Jab Nishu akela huwa to maine Nishu se poochha.

Main- Tum mile Anant se. kaisa laga wo tumhe.

Nishchal- (gusse se) Ek number ka ghatiya insan hai wo.

Main- (Cheekh kar) Nishu. Juban sambhal kar baat karo. Tumhe koi Hak nahi hai ki tum Anant ke bare me aisi baat karo. Tum uske baare me aisa kaise bol sakte ho Nishu. Wo tumhari di ka pyaar hai.

Nishchal- Tumne galat aadmi se pyaar kiya hai di. wo aadmi bilkul bhi achha nahi hai. Wo gunda hai mawali hai, Sabse ladai Jhagda karta rahta hai.

Main- Nahi Nishu. Tumhe koi galatfahmi ho gayi hai. Kya tumhe lagta hai ki tumhari di kisi galat ladke ko chunegi apne liye.

Nishchal- Nahi di. Aap hamesha sahi chunav karti hain, lekin is baar aapka chunav galat hai. Usne aapke bholepan ka fayda uthaya hai aur apko apne jhoothe pyaar ke jaal me fansaya hoga. Main in gunde mawaliyo ko achhi tarah se janta hoon. Inka to yahi kaam hota hai bholi bhali ladkiyo ko apne jaal me fansane ka.

Main- Nishu Main Anant ke khilaf ek shabd bhi galat nahi sunungi. Main use itne din se janti hoon. Aur tumne kuchh hi der milkar uske charitra ka certificate de diya mujhe. Tu samajh kyon nahi raha hai mere bhai tujhe jaroor koi galat fahmi hui hai.

Nishchal- Mujhe koi galat fahmi nahi hui hai. Balki maine jo bhi apni aankho se dekha aur jo kuchh suna main aapko wahi bata raha hoon. Usase shadi hone ke baad apki zindagi bardab ho jayegi.

Wo ladka aapke layak nahi hai di. chaar paise kamakar aapko khila nahi sakta wo. Zindagi bhar sath kya nibhayega. Main aapki shadi kisi bhi kimat par us ladke se nahi hone doonga chahe jo ho jaye.

Main- Nahi Nishu. Tumhe galatfahmi hui hai. Wo achha khasa kamata hai. Uski khud ki pharmacy hai. Jo bahut achhi chalti hai. Wo swabhav se bhi bahut achha hai. Sabhi ka samman karta hai.

Nishchal- Wo kitna samman karta hai logo ka ye main dikhata hoon aapko.


Itna kahkar Nishu ne apna mobile nikala aur ek video chalakar mere samne rakh diya. Jisme ek aadmi ko Anant buri tarah maar raha tha. Ye dekhkar to main bhi pareshan ho gayi. Nishu ne aage kaha.


Nishchal- Dekh liya di. Ye jiske baare me aap mujhse ladai kar rahi ho wo kaisa samman karta hai logo ka. Main fir se aapko bata de raha hoon. Aap is ladke ko bhool jaiye. Mujhe ye Rishta bilkul bhi pasand nahi hai.


Itna kahkar Nishu waha se chala gaya. Mujhe kuchh samajh me nahi aa raha tha ki ab main kya karu. Itna to tay tha ki mummy papa bahut muskul se mante. Main to Nishu ke sahare hi mummy papa ko Anant se shadi ke liye manati,

lekin ab to Nishu ne khud bol diya tha ki wo kisi bhi kimat par meri shadi Anant se nahi hone dega to meri ummeed bhi lagbhag khatam ho gayi thi, lekin mujhe us video ki sachhai jan-ni thi. isliye maine Anant se baat karne ki sochi aur uska nambar mila diya.

Anant- Hey Savi.

Main- Hiii Anant. Kaise ho tum.

Anant- Main badhiya hoon. Tum kaisi ho.

Main- Main thik nahi hoon. Mujhe tumse kuchh poochna hai, tum kis aadmi ko berahami se maar rahe the kal.

Anant- Tumhe kaise pata iske baare me.

Main- Wo sab chhodo. main tumse jo pooch rahi hoon wo batao mujhe.

Anant- Tumhe to pata hai ki is area mein Meri Pharmecy Aas paas ki Pharmecy ke mukable Jyada chalti hai. Isliye Un logo ko jalan hai mujhse. Kal Bagal wale ne kisi baat par mere papa ke upar hanth chhod diya tha.

Ab tum hi batao main use kaise chhod deta. Jab mujhe pata chala iske baare me to maine use ghasit ghasit kar mara tha. Ab tum batao ki tumhe ye sab kaise pata chala.

Main- maine ham dono ke pyaar ke baare me apne chhote bhai Nishu ko bata diya aur tumse shadi karna chahti hoon Ye bhi bataya maine use to usne meri shadi tumse karwane ka wada kar tumse milne ke liye gaya tha.

Lekin jab wo tumse milne pahucha to tum us aadmi ko pit rahe the. Maine tumhari photo bhi use di thi. isliye wo tumhe turant pahchan gaya. Fir usne aas paas tumhare bare me puchha to sabhi ne tumhare bare me galat bataya use.

Usne bhi jo apni aankho se dekha aur jo agal bagal walon ne use bataya. Wahi wo sach mane huwe baitha hai. Ab wo bhadka huwa hai aur Tumhe gunda mawali bol raha hai. meri shadi tumse kisi kimat par nahi hone dega wo. Main kya karu mujhe kuchh samajh me nahi aa raha hai.

Anant- Ye to sach me bahut bura ho gaya. Lekin tum chinta mat karo main tumhare bhaai se baat karunga. Wo meri baat jaroor samjhga. Ab main phone rakhta hoon. Kuchh kaam hai urgent.

Anant ke phone rakhne ke baad main bhi apne kamre me chali gayi. do din aise hi bit gaye. Na Nishu ne mujhse baat ki aur na hi maine nishu se. tisre din mujhe uska mood kuchh thik laga to main usase baat karne ke liye uske kamre me gayi aur maine kaha.

Main- Nishu. Mujhe tumse baat karni hai.

Nishchal- Agar us Ladke ke baare me baat hai to mujhe koi baat nahi karni hai.

Main- Aisa mat bol bhaai. Us din tumne jo use ladte huwe dekha. Wo sahi hai maine usse bat ki to usne bataya ki us aadmi ne uske papa ke upar hanth chhod diya tha isliye Anant ne use mara tha.

Nishchal- Wahh kitna achha bahana banaya hai ladke ne. Wo aapko bevkoof bana raha hai di. agar aisa hota to Maine aas paas bhi uske baare me pooha tha. Kisi ne bhi uske baare me achha nahi kaha. Uske baare me kya kahogi aap.

Main- Aas pas ke log usase jalte hain. Isliye unhone Anant ke bare me galat kaha tumse. Mera bharosha kar Nishu. Anant bahut achha ladka hai main usase bahut pyaar karti hoon.

Nishchal- Aur main us ladke se jyada aapse pyaar karta hoon. Aap uske pyaar me andhi ho gayi hain di. lekin main nahi. Main jante bujhte apni di ki zindagi barbad nahi hone doonga. Main is shadi ke bilkul khilaf hoon. Haan agar aapko ham logo se jyada wo ladka pyara hai to aap ki jo marji ho wo karo.

Main- Aisa mat bol nishu. Tumhe bhi pata hai ki tumhari di tumhe kitna pyaar karti hai. Tumhare liye main Aise 100 Anant ko chhod doon, Agar wo galat hota to main tumhare ek baar hi kahne par use chhod deti. Magar wo galat nahi hai Nishu. Tu ek baar aur jakar usase mil aur use samajhne ki koshish kar. Teri sari galatfahmi door ho jayegi.

Nishchal- Nahi di. main ab main usase dobara nahi milna chahta. na hi mujhe uske bare me koi baat karni hai ab. ab agar maine aapko usase baat karte huwe dekha ya mujhe pata chala ki aap usase milne gayi hai to uske sath jo bhi bura hoga. uski jimmedar Aap khud houngi.

maine Nishu ko bahut samjhane ki koshish ki, lekin wo mere pyaar me andha hai. man-ne ke liye taiyar hi nahi hai. fir maine sab kuchh bhagwan ke bharose chhod diya. Is baat ko- 4-5 sal bith chuke hain aur ham aaj bhi Nishu ki najar bachakar milte-julte hain aur bate karte hain.

Main shadi ke liye bhi agar koi rishta aata hai to use manaa kar deti hoon. main janti hoon ki Anant galat nahi hai. wo kahte hain na ki first impression is last impression. Is hisab se to Nishu bhi apni jagah Sahi hai. aakhir wo mujhse itna pyaar karta hai. lekin kam se kam ek baar NIshu ko Anant se milna chahiye.

Maine to kai baar koshish ki, Anant ne ek-do baar Nishu se milne ki koshish ki, lekin har baar Nishu gussa ho jata hai. Is baat par Anant ne bhi jyada jor nahi diya. mujhe pata hai ki agar dobara NIshu Anant se milega to uski dharna jaroor badal jayegi Anant ko lekar.

present

Savita Ne apne aur Anant ke bare me sab kuchh bata kar bahut relax mahsoos kar rahi thi Apni kahani batakar Sarita ki taraf dekha to Sarita Utsukta se Uske bolne ki pratiksha kar rahi thhi. Savita ne Muskurate huwe kaha.

Savi- kahani khatam ho chuki hai.

Sarita- How Sad Di, lekin Sir Unse milna kyon nahi chahte hain.

Savi- Pata nahi. Us din to wo Anant se milne hi gaya tha, lekin meri aur Anant ki kismet kharab thi ki jab wo Anant ki Pharmecy par pahucha to usne waha Anant ko Kisi ko pit-te huwe dekh liya. Isi ko lekar uska man Anant se Ukhad gaya hai. Shayad isliye wo nahi ja raha hai Anant se milne.

Sarita- Ye to Achhi baaat nahi hai di. Aakhir kab tak aap dono aise chhup chhup kar milte rahenge.

Savi- Sach kahun to Mujhe bhi Pata nahi hai ki Ye kab tak chalega. Mujhe achha bhi nahi lagta aise chhup chuup kar milna. hamne sachha pyaar kiya hai. isliye abhi tak Ek doosre ki raah dekh rahe hain. Nishu ka gussa dekhkar main dar jati hoon.

Main nahi chahti ki mere wajah se Anant par koi musibat aaye. Mummy papa se bhi Kahne ka koi fayda nahi hai, Kyonki Nishu ye shadi hone hi nahi dega aur main Nishu ko naraz karke Ye shadi karna bhi nahi chahti. Dekhti hoon kab Nishu ko mujhpar taras aata hai aur wo Anant se milne ke liye taiyar hota hai.

Sarita- Isliye aap us din unse Aise chhup chhup kar mil rahi thi. Achha huwa ki Sir ne nahi dekha.

Savi- Haan Sahi kaha tumne. Wah Abhi 1 Mahine ke liye yaha par aaye huwe hain kisi kaam se. is bich hamari 4-5 baar mulakat hui hai, lekin dar ke saye mein ki kahi Nishu na dekh le, Kal wo wapas Lucknow ja rahe hain.

Sarita- Tab to aapko unse Milne jana chahiye.

Savi- Pata nahi. ja paungi ya nahi. Kal kaisi setuation rahti hai uspar depend karta hai.

Sarita- Agar aap kahiye di to main Sir se baat karun Is bare me.

Savi- Nahi Nahi Sarita. Aasi galti mat karna tum. Wo anant ke naam se bhi chidhta hai. Aur tumhari Waise bhi Nishu se banti nahi hai. Agar tumhare munh se Anant ke bare me sunega to mujhpar to gussa karega hi. tumhare upar bhi aur naraz ho jayega.

Sarita- Ye baat bhi Aapne sahi kahi di. Lekin Main sahi mauka dekhkar ek baar Sir se baat jaroor karungi. Waise Anant ji se main bhi mili thi use din. Sach me bahut ache insane lage mujhe . jaise aapne bataya bilkul waise. Mujhe unse milkar bahut achha laga tha us din.

Savi- Wo Hai hi aisa SArita. Jo bhi milta hai Use achha hi lagta hai, lekin Nishu Jab Usne milne gaya to shayad kismet ko hi ye manjoor nahi tha ki wo Nishu ko ache lage.

Khair chhodo. Anant ne mujhe bataya tha ki Use ek raat ek lady inspector mili thi. jisase wo prabhavit huwa tha, Lekin Mujhe bilkul bhi andaza nahi tha ki wo tum ho sakti ho, kyonki tum to us din mujhse milkar jaldi hi chali gayi thi.


Ye sunkar Sarita ne apne kan pakadkar mafi mangte huwe boli.


indian-6

Sarita- Sorry di. Us din maine aapse jhooth bola tha. uska karan maine aapko pahle hi bata diya hai.

Savi- Koi baat nahi Sarita. Main samajh sakti hoon. tumhe jo us samay sahi laga tumne wahi kiya.


Tabhi Rasoiya Balcony me aaya aur Savi se bola.


Rasoiya- Bitiya. khana ban gaya hai. Nishchal babu bhi aa gaye hain aur wo niche khane ki table par aap dono ka intezar kar rahe hain. aap log jaldi aa jaiye.


Ye kahkar rasoiya chala gaya. Nishchal ke aane ka sunkar SAvi ko bahut Aashcharya huwa. Nishu pahli baar itni jaldi ghar aaya tha wo bhi khane ke samay par. Savi ne kaha.


Savi- Hame baat karte karte kitni der ho gayi, lekin aaj Nishu Itni jaldi kisliye aa gaya. roj to mere sone chale jane ke baad hi aata tha.

Sarita- Chaliye di. niche chalte hain nahi to wo dandanate huwe yaha par aa jayenge.

Savi- (hanskar) Haan Sahi kah rahi ho tum.


Itna kahakar dono hansne lagi aur hanth munh hokar Niche dining table par aakar baith gayi. waha baithne ke baad Savita ne poocha.


Savi- Nishu. Aaj tum itni jaldi kaise aa gaye.

Nishchal - (apne man mein) Ab main aapko kya bataun di. kal maine lady don ko kuchh jyada hi dant diya tha. subah bhi uthkar main uska chehra nahi dekh paya tha ki ye abhi tak gussa hai ya nahi.

kal ki tarah roj roj iske room me to ja nahi sakta hoon. nahi to pata nahi kya kya soch le jayegi. isliye maine socha ki ghar jaldi chalu aur khana khane ke bahane hi uska hal chal pooch loon.


Nishchal ko kisi soch me dooba dekhkar Savi ne kaha.


Savi- Kya huwa Nishu. tu kya soch raha hai. maine poocha ki aaj tum itni jaldi kaise aa gaya ghar.

Nishchal- Wo di. aaj kuchh jyada kaam nahi tha to maine socha ki kyon na khana apni pyaari di ke sath hi khaun. isliye main jaldi ghar aa gaya.

Savi- (khus hokar) Achha. Agar tum aise roj roj ghar jaldi aao to ham sab sath milkar khana khaye. kitna achha lagega

Nishchal- Thik hai di. main poori koshish karunga.


fir sab khana khana nikal kar khane lage. khana khate huwe bich bich me Nishchal SArita ko dekh leta tha, lekin Sarita to khane me busy thi. SArita ya to khane ki plate ki taraf dekh rahi thi ya to SAvita ki taraf, Usne Nishchal ki taraf ek baar bhi nahi dekha, lekin Savi ne Nishchal ko dekh liya ki wo bar bar Sarita ki taraf dekh raha hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 03


Apne kamre mein pahunchkar Raani ji bister par baith gai aur kuchh sochne lagi. Aanand ji abhi tak soye nahin the. Jab unhone apni dharmapatni ko soch mein dooba huwa dekha to unhone Unse poochha.


Aanand ji- Kya baat hai bhagyawaan. Kis soch mein doobi hui ho.

Raani ji- main abhishek ke bartav ko lekar thodi pareshan hoon. Uski padhaai ko lekar chintit hoon.

Aanand ji- Yahi chinta to mujhe bhi khaye ja rahi hai. Pata nahin aage chalkar kya hone wala hai. Kismat mein kya likha hai, main nahin chahta ki abhishek bhi meri tarah muflasi mein apna jeevan gujare. Main chahta hoon ki wo padh likhkar ek kamyaab insan bane.

Raani Ji- Main bhi to yahi chahti hoon ki use jeevan mein koi dukh dard na ho. Wo achhe se padhaai kare aur kaamyaab ho, lekin wo padhaai mein bahut kamjor hai. Main soch rahi hoon ki kyon na uske liye koi tution laga diya jaye. Jisase uski padhai mein sudhar ho sake.

Aanand ji- kah to tum thik hi rahi ho bhagawaan, main kal hi kisi achhe teacher ko dekhta hoon. Ho sakta hai tution se hi uski padhaai sudhar jaye.


Iske baad donon pati patni so gaye. Subah sabko school bhejne ke baad Raani ji ne Aanand ji ke liye bhi tifinn pack kiya. aanand ji bhi apna nashta lekar auto chalane chale gaye.


Isi tarah do din bit gaye. In do dino mein Aanand ji ne apne parichit se tution teacher ke bare mein baat ki thi to unhone ek bahut hi kabil teacher ki vyavastha kar di abhishek ko padhane ke liye.


Tution teacher Roj sham ko aakar ek ghante tak abhishek ko padhane laga. Teacher kyonki bahut kabil tha. Wah abhishek ko har tarah se nipun banane mein jut gaya.


Isi tarah samay gujarta raha, Abhishek ka padhai me bilkul man nahi lagta tha, to teacher ne bhi ek do mahine mein apne hath khade kar diye. Ab to abhishek ki maar-pit aur Shararat ke karan uske naam par shaikayte bhi badhne lagi. Jiske karan kabhi kabhi Aanand ji ki maar bhi padti thi Abhishek ko, maar khane ke kuchh din tak to wo thik se padhta, aur ladai Jhagda nahi karta tha, lekin kuchh din baad phir se uska wahi ravaiya ho jata.


Aanand ji aur raani ji bahut pareshan ho gaye the abhishek ke bartav se, wahi Sarita padhaai me hamesha aowwal aati. Jisase uski Sarahna bhi hoti thi. Manisha bhi padhai me thik thak hi thi. Ek din raat me bachho ke sone ke baad Aanand ji Aur raani ji baithkar baat kar rahe the.


Aanand- Abhishek ka kya hoga bhagyawaan. Roj kisi na kisi ki shikayat aati rahti hai. Wo bahut bigad gaya hai. Mujhe to uska bhavishyaa andhere me dikhayi de raha hai. Sarita ko dekho, Kitni samajhdar hai aur padhai me bhi kitni hoshiyaar hai. Manisha ki bhi koi chinta nahi hai mujhe. Wo bhi padhai me achhi hai , Lekin abhishek ko lekar mujhe din raat chinta lagi rahti hain.

Raani ji- Chinta to mujhe bhi uski lagi rahti hai, lekin Aap Itni chinta mat kiya kariye ji. Gujarte samay ke sath wo sudhar jayega. Abhi bachpna hai usmein. Abhi samajhdari ki kami hai usme. Thoda samay dijiye use. Dhire dhire sab thik ho jayega.

Aanand Ji- Bhagvan kare Sab thik ho jaye. Mujhe to abhishek ki chinta din rat khaye ja rahi hai. Agar Thik se padhai likhai nahi karega to meri tarah hi din raat khatega. Ham to apni jindagi jaise taise gujar rahe hain. Lekin main to chahta hoon ki hamare bachhe achhi jindagi jiye. Lakin Abhishek ko to jaise kuchh fikar hi nahi hai. Har samay ladai jhagda karta rahta hai.

Rani Ji- Aap chinta na kare. Main usase baat karti hoon. Wo meri baat jaroor sunega. Aap dekhna jald hi wo ladai jhagda chhodkar jimmedar ladka ban jayega. Chaliye ab so jaiye raat bahut ho gayi hai.


Uske baad Aanand Jj aur Rani Ji so jate hain. Subah Uthkar raani Ji ne Sabhi bachho ko taiyar kar school bhej diya aur khana banakar aanand ji ko bhi de diya. aur ghar ka aur kaam karne lagi. Jab Abhishek school se ghar aaya to Raani Jj ne use fir se samjhate huwe kaha.


Raani ji- Abhishek tu kab sudharege. Har samay ladai jhagda karta rahta hai. Har koi teri shikayat karta hai. Tu padhai likhai par dhyan de beta. Kyon apne bhavishya ke sath khel raha hai.

Abhishek- Thik hai maa main Is baat ka dhyan rakhunga ki aage se aisa kuchh na ho. Aur main padhai bhi man lagakar karunga. Ab main sone jaun.


Rani ne abhishek ko sone ke liye bhej diya. Sarita aur Manisha bhi so gayi, Abhishek ki baat sun-ne ke baad Raani ji ne jaan liya ki Abhishek sudharne wala nahi hai wo bas uski baat ko tarkakar unke pas se jana chahta tha isliye usne haan kar li. Ab unka bhi pareshan hona banta tha.


Samay apni rafter se chalta raha aur dekhte hi dekhte Abhishek kisi tarah girate padhte passing mark lata gaya aur highschool me pahuch gaya. Sarita 8th class me aur Manisha class 5th me pahuch gayi. Sarita aur Manisha ab ghar ke kamo me Raani ji ka hath batane lagi aur bache huwe samay me apni padhai aur uske baad jo samay bachta usme wo dono khelne jaya karti thi.


Lekin abhishek ke bartav mein abhi tak koi sudhar nahi aaya tha. Ab to uski maar pith bhi badh gayi thi, lekin Abhishek ne kabhi itni buri tarah se kisi ko nahi maara tha. Jisase baat had se jyada badh jaye. Bas 2-4 jhapad ya mukke marta tha.


Fir bhi shikayate to aani hi thi. Aur inhi shikayato ke karan Aanand ji Abhishek ki pitai bhi kar dete the. Lekin abhishek thahra ekdam dheeth aur nirbuddhi. wo na to RaAni ji ki pyaar ki bhasha samajhta tha Aur na hi Aanand ji ki maar ki bhasha. Aur padhaai se to uska nata jaise toot hi gaya tha. Isi ke chalte wo highschool ki board ki pariksha me fail ho gaya.


Usko kewal ek Vishay me dictention mila tha 90 Number wo bhi drawing me. Aur hindi me use 45 Number mile the. Baki ke sabhi Vishayo mein milakar bhi wo 33 Number nahi la paya tha. Yah dekhkar Aanand ji ka gusse ka para high ho gaya aur unhone Abhishek ko ji bhar kar kutaa. Raani ji, Sarita aur Manisha Abhishek ko bachane ke liye bhi aage aaye. Par Aanand jj ne kisi ki bhi nahi suni aur jii bhar kar uski pitaai kar di. Jisake karan poori raat abhishek rota raha.


Raani ji ne raat me khane ke liye use bulaya, lekin usne khana khane se mana kar diya, jiske karan Aanand ji ka gussa aur bhi badh gaya aur wo Abhishek ko marne ke liye uthe. Lekin Raani ji ne unhe shant kara kar khana khane ke liye de diya aur khud khana lekar Abhishek ke kamre me chali gayi, lekin abhishek khana khane ke liye taiyaar nahi hua. Thak haar kar wo wapas bahar chali aai. Fir Sarita na khana khaya aur ek thali khana lekar Abhishek ke paas gayi aur boli.


Sarita- bhaiya khana kyon nahi kha rahe hain aap. Chaliye jaldi se khana khaiye.

Abhishek- Mujhe nahi khana. Tu ja yahaa se.

Sarita- Aap khane se kyon gussa hain. Isne to aapko kuchh nahi kaha. Jo bhi kaha hai papa ne kaha hai to papa ka gussa khane par nikalna achhi baat thodi na hai.

Abhishek- Maine kaha na. mujhe nahi khana. Tujhe ek baar me samajh me nahi aata hai kya.


Abhishek ne ye baat thoda tez aawaz me kahi thi. Jisase Sarita Rone jaisi ho gayi aur uski aankho se do bund aanshu uski aankho se bahar nikal gaye. Abhishek ghar me sabse jyada apni dono bahano ko pyaar karta tha. Unki aankho me aanshu nahi dekh sakta tha, isliye jab Sarita ki aankho me aanshu aaye to use apni bhool ka ehsas huwa ki usne bewajah hi Sarita ko dat diya, isliye usne Sarita ko apne paas bithaya aur uske aanshu pochhte huwe bola.


Abhishek- Are meri lado. Dekho rona nahi. Chalo main khana khata hoon. Apne hantho se khilao mujhe.


Abhishek ki baat sunkar Sarita bahut khush hui aur apne hantho se Sarita Abhishek ko khana khilane lagi. Kamre ke bahar se Raani ji aur Aanand ji ye nazara dekh rahe the. Unhe Abhishek par bhale hi gussa aa raha tha, lekin dono bhai bahano ka pyaar dekhkar dono ko bahut Khushi ho rahi thi. Wo dono chupchap bahar chale gaye aur Aanand ne Rani se kaha.


Aanand ji- Dekha tumne bhagyawan. Kitna pyaar hai dono bhai bahano mein. Sarita ke ek aanshu ne uska sara gussa aur narazgi khatam kar diye. Bhagwan in dono ka pyaar hamesha banaye rakhe.


Aanand ji ne ye duwa bhagwan se maang to li thi, lekin jaroori nahi hai ki ham jo bhi bhagwan se mangte hain wo duwa bhagwan hamesha poori hi kare, aisa hi abhishek aur Gharwalo ke sath bhi hone wala tha. Jiska unhe door door tak anumaan nahi tha. Khair. Sarita ne Abhishek ko khana khila diya tha aur Abhishek ke hanth dhulakar boli.


Sarita- Aaap aisa kyon karte hain bhaiya. Aap ko pata hai papa kitni mehnat karte hain taki ham sab ache se padhe. Lekin aap hamesha pahdai ke alawa wo sab kuchh karte hain jo papa ko achha nahi lagta. Isiliye papa ne aapko mara. Isme papa ki koi galti nahi hai bhaiya. Isme aapko galti hai. Fir bhi aap sabse naraz ho gaye. Mujhko bhi data diya. aapko papa se maffi mangni chahiye.

Abhishek- Achha meri maa. Mujhse galti ho gayi. Mujhe maaf kar de. Main papa se subah mafi mang lunga. Ab to khush ho jaa. Aur mujhe sone de.

Sarita- Bas yahi kariye aap. Ghoomiye, ladhiye- jhagadiye, naraz hoiye aur khana khakar so jaiye. Isle alava padhai bhi hoti hai jo aapki dictionary me nahi hai. Isiliye aapko maar padti hai. Agli baat agar maar padi to main nahi aaungi bachane aapko dekh lena.

Abhishek- haa haa kah to aise rahi hai jaise tu hi mujhe bachati hai har baar. Ab jaa yaha se.


Sarita Abhishek ko jeebh dikhate huwe thali lekar bahar chali gayi aur Abhishek bister par late kar gahri neend me so gaya. Subah bhor me uthkar sabse pahle wo fresh huwa aur fir apne papa ke paas chalga gaya aur unke paas baith kar bola.


Abhishek- papa. Mujhhe maaf kar do. Maine jo kal raat me aap sab ke sath vyavhar kiya uske liye.

Aanand ji- {Abhishek ke sir par pyaar se hath firate huwe} beta ham tumhare koi dusman nahi hain. Agar ham tumhe maarte hain ya data-te hain to tumhare bhale ke liye hi to karte hain. Agar tum thik se padhai karo. Main ye nahi kahta ki tum dictention le aakar dikhao. Main to bas itna chahta hoon ki tum bas paas ho jao. Aakhir padh likh jaoge to kahi kaam handha pakad loge. Tumhari zindagi ache se bitegi. Nahi to beta. Mujhe dekho din bhar khat-ta rahta hoon tab jakar do vakt ki roti ka juwad hota hai. Main nahi chahta beta ki tumhare sath bhi aisa ho. Isliye main tumko data-ta rahta hoon. Padaai karne ke liye kahta hoon.

Abhishek- thik hai papa main poori koshish karunga ki is baar paas ho kar dikhaunga.

Aanand ji- mujhko tumse yahi ummeed hai mere bete. Koshish karna ki tum meri ummeedon par khare utro.


Fir Aanand ji ne apna khana pack karwaya aur Auto lekar apne kaam par chale gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Completed reading 3 updates and I already fall in love with your writing skills Mahi Maurya
They way your describing each and every character and situations that's really commendable.
And Hindi mai bhi kuch kahoonga kyunki akhir kahani hi is language mak hai.
Jis tarah se apne anand ji, raani ji ke Naam ke sath har baar ji lagaya hai na wo batata hai ki apki sonch kaisi hai ye sirf kahani ke characters hai but jis tarah aap un characters ko bhi itna respect ke sath likh thi jo ye dikhata hai aap apno kahani se kis had tak judi huwi hai aur jab ek writer khud ko ek kahani se is tarah jod leta hai to wo kahani apne ap hi kamyab hojati hai.
Just a marvelous updates with top notch written.
BRAVO🙌
 

Top