Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Member
324
1,026
93
UPDATE- 04


Aanand ji ke jane ke baad Abhishek ne thodi der padhai ki, lekin fir se vahi DHAK KE TEEN PAAT wala hall ho gaya. Thodi der padhne ke baad abhishek phir se ghar se bahar nikal gaya. Abhishek ki shararate jari rahi aur padhai se uska nata toot-ta gaya. Jab Aanand ji ghar me hote the to Abhishek bas kitab khole baitha rahta tha, lekin jab wo bahar jate to Abhishek bhi bahar nikal jata.


Raani ji ne Aanand ji ko ye bhi bataya ki unke jane ke baad Abhishek bahar nikal jata hai to wo bahut pareshan huwe. Fir jab dobara Abhishek ka naam likhaya gaya to unhone khuchh sochte huwe Abhishek ka tution fir se lagwa diya ki shayad is Baar abhishek achhe se padhaai kar le, Lekin Tution me bhi Abhishek padhai par dhyan nahi deta tha.


Tution se bhi Abhishek ki shikayate aane lagi. to Abhishek ko fir se Aanand ji ne mara. Kuchh Mahine baad Tution teacher ne Abhishek ko tution se nikal diya. Roj ki maar aur padhai se algav ke karan abhishek frustrate hone laga. Iska nateeja ye Huwa ki ab wo din bhar ghar se gayab hi rahne laga.


Dhire dhire fir se board ki pariksha aa gayi aur abhishek is baar fir se fail ho gaya. Bas is baar bhi hindi aur drawing me hi usko number mile the. Baki sabhi subject me wah fail ho gaya. Aanand ji ko bahut jyada gussa aaya is baat par. Us din Aanand ji ne Abhishek ko bahut buri tarah maara. Is baar Sarita ne bich me aakar abhishek ko bachaya. Isi chakkar me ek danda Sarita ko bhi pad gaya.


Sarita Abhishek ko lekar apne kamre me chali gayi aur uske ghavo par marham lagaya. Abhishek chupchap aanshu bahata raha. Sarita ne bhi abhi kuchh bolna sahi nahi samjha. Use apne papa par bhi gussa aa raha tha, parantu Aanand ji ne jo bhi kiya wo gusse me kiya. Uska gussa karna bhi jayaj tha.


Thodi der baad jab unka gussa shant ho gaya to unhe is baat ka pachhatava hone laga ki unhe abhishek ko itni buri tareeke se nahi marna chahiye tha. wo Abhishek ke paas gaye aur uske sir par hanth firakar pyaar se kaha.


Aanand ji- Abhishek beta. Mujhe maaf kar de. Maine gusse me akhar tunjhe bahut mara. Itna to main samajh gaya hoon ki tujhse ab padhai likhai nahi ho paegi. Lekin teri drawing bahut badhiya hai to agar tu usi field me apna carrier bana le to thik rahega. Mujhe bhi tujh par bar bar hanth uthane mein takleef hoti hai.


Us raat aanand ji ko bhhi thik se neend nahi aayi aur ghar ke anya sadasya bhi abhishek ko lekar bahut dukhi the. Dhire dhire samay bitata raha aur aanand ji ne apne jaan pahchan walo se kisi banner aur hording wali company me apne bete ko rakhwane ke liye baat bhi kar li.


Ek do jagah baat bhi bani, lekin uski pahdai bich me aade aa jati. Kafi masakkat ke baad Abhishek ko ek Banner aur Hording banana wali company me kaam mil hi gaya, lekin padhe likhe na hone ke karan use paise jyada nahi milte the. Aanand ji itne me hi khush the ki kam se kam Abhishek ko kaam to mil gaya hai. Isi bahane ab wo busy rahega to ladai ghagda bhi nahi karega. Aur chaar paise bhi ghar me aayenge. Lekin Aanand ji ki ye Khushi bhi jyada din nahi chali.


Ab Sarita ne high school me admission karwa liya tha aur Manisha class 7 mein thi. Samay dhire dhire aage bahdta raha aur Samay ke sath Abhishek ki life me parivatnan aane laga. Uski sangat kuchh galat ladko se ho gayi aur wo unki sangat me bigdata chala gaya.


Ab wo Daru, Bidi, paan, tambaku aur gutkha jaisi nashili cheejo ka bhi sewan karne laga, lekin ab wo maar pit aur ladaai jhagda nahin karta tha, yaa yuun kahein ki use iske liye samay hi nahin milta thaa.


Jab Aanand ji ko is baat ka pata chala to unhone Abhishek ko bahut samjhaya. Itna to ab wo jaan gaye the ki maar pith kar abhishek ko samjhana bahut mushkil hai. Aur waise bhi ek kahawat hai ki Agar Beta baap ke kandhe ko paar kar jata hai to use marne me baap ko sankoch hota hai. Isliye wo abhishek ko pyaar se samjhate huwe bole.


Aanand ji- Ye sab kya hai Abhishek, pahle to tu padhaai bhi nahi karta tha, ladaai jhagda karta tha aur ab tu galat sangat me bhi pad gaya hai. Kyon ham logo ko jeete ji marna chahta hai. Aakhir hamne kya bigada hai tumhara. Yahi na ki tum hamare ghar me paida huwe. Kyon karta hai tu ye sab. Kya tumhe apne budhe hote maa baap par taras bhi nahi aata. Ya ham logo ki jaan lekar hi manega tu.

Abhishek- Maine kya kiya hai papa. Aap ne kaha kaam karne ke liye to main kar raha hoon. Baki dosto ke sath uthana baithna bhi band kar doon kya papa.

Aanand ji- Mujhe kabhi dosto ke sath uthne baithne me koi dikkat nahi hai, lekin wo tere dost nahi dushman hain jo tujhe galat raste par le ja rahe hain. Unka sath chhod de. Achhe ladkon ke sath apni jaan pahchan badhaa, Ab bhi wakt hai sudhar ja beta. Agar tujhe ye job nahi karni to tu chhod de use aur ghar me baith. Main abhi kamaa raha hoon. Main abhi bhi tum sabko paal sakta hoon, lekin tum unka sath chhod de abhishek.

Abhisha- Kya yaar papp. Pahle aapko meri padhai se dikkat thi aur ab mere dosto se bhi pareshani hai aapko. Aakhir aap chahte kya hain. Ab main khud bhi samajhdar ho gaya hoon. Apna achha bura khud samajh sakta hoon, aap har samay mujhe mat samjhaya kariye. Aur meri life me interfere mat kariye.


Itna kahkar Abhishek Ghar se bahar nikal gaya. Aanand ji thage se use bahar jate huwe dekhte rahe. Aaj pahali baar abhishek ne unse is lahje mein baat ki thi. Apne bete ki baat sunkar unka dil toot gaya tha aur unki aankho me aanshu aa gaye. Raani ji ne jab Aanand ji ko rote huwe dekha to wo ghabra gayi aur aanand ji ke paas aakar boli.


Raani jii- Kyaa huwa aap ki aankho me aanshu. Kisi ne kuchh kaha kya aapse.


Aanand ji Rani ji ki baat sunkar Uske kandhe par sir rakhkar fafak fafak kar rone lage. Apne papa ke rone ki aawaz sunkar Sarita aur Manisha bhi unke paas chali gayi aur apne Aanand ji se lipat kar khadi ho gayi. Thodi der baad jab Aanand ji normal huwe tab unhone kaha.


Aanand ji- Aaj main haar gaya Bhagyawan. Aaj main apne bete se haar gaya.

Raani jii- Aap aisa kyon kah rahe hain ji. Kya kah diya abhishek ne aisa jo aap aisi baat kar rahe hain.

Aanand ji- Wo bol raha hai Mujhe uske dosto se pareshani hai. Mujhe uski Khushi se pareshani hai. Wo bolta hai ki main uski life me dakhal na doon. Kya yahi din dekhne ke liye hamne use paal poss kar itna bada kiya tha. Main aaj apni hi santan se har gaya .

Sarita- Aap shant ho jaiye papa. Main baat karti hoon bhaiya se. wo aapse jaroor iske liye mafi mangenge. Unhe ye nahi kahna chahiye tha.


Raat ko 8 baje jab Abhishek bahar se ghar aata hai to Sarita usase baat karne ke liye Abhishek ke paas gayi aur boli.


Sarita- Ye sab kya hai bhaiya. Aap ko pata hai ki aapki is harkat ki wajah se paap ro rahe the. Kya ye Achha lagta hai ki ek baap apne bete ke karan rone lage.

Abhishek- lekin maine to aisa kuchh bhi nahi kaha tha jiske karan papa ko dukh pahucha ho.

Sarita- Aapne jo kuchh kaha hai. Usi baat ne papa ke dil ko chot pahuchayi hai. Aapko kya jarurat thi palatkar jawab dene ki. Chupchap sun nahi sakte the kya. Aur waise bhi papa ne koi galat baat to nahi boli thi. Kewal yahi kaha tha ki aapke dost ache nahi hain wo aapko bigad rahe hain. Mujhe bhi lagta hai ki papa sahi kah rahe hain. Aap ab pahle jaise nahi rahe bhaiya.

Abhishek- Dekh Sarita. Ab tu bhi mat shuru ho jana. Nahi to main abhi ghar se fir chala jaunga.

Sarita- Achha thik hai main nahi bolti kuchh. Waise bhi meri koi baat aap mante kahan hain. Lekin aapko papa se mafi mangni chahiye. Aapki wajah se papa aaj ro diye.

Abhishek- Thik hai meri maa. Main maafi mang loonga papa se. mujhe bhi lagta hai ki maine kuchh jyada hi over react kar diya. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha.

Sarita- jab aap ko pata hai ki ki papa hamesha aapke bhale ke liye kahte hain to aap aise kyon bartav karte hain papa se.

Abhishek- Pata nahi Sarita, lekin us samay mujhe pata nahi kya ho jata hai. Mujhe aisa lagta hai ki papa mujhpar bandish laga rahe hain.

Sarita- Aap kitna galat sochte hain bhaiya. Jo aapko bandish najar aati hai. Wo papa ka pyaar hai aapke liye, lekin aap apne awara doston ke sath rahkar bigad gaye hain. Aapko papa ka pyaar dikhaai hi nahi de raha hai.

Abhishek- achha thik hai. Ab tu shuru mat ho ja. Main kah to raha hoon ki main mafi mang lunga papa se.

Sarita- thik hai bhaiya main chalti hoon. Papa se mafi jaroor mang lijiyega aap.


Itna kahkar Sarita bahar chali gayi. Thodi der baad khana ban gaya aur sabhi khane ke liye baith gaye. Khana khate huwe Abhishek ne kaha.


Abhishek- papa mujhe maaf kar dijie. Mujhe us tarah aapse baat nahi karni chahiye thi. Pata nahi us samay mujhe kya ho gaya tha jo maine aapse aisi bhasha me baat ki.

Aanand ji- beta main tera dushman nahi hoon. Main jo bhi kar raha hoon ya jo bhi tujhe kahta hoon. Tere bhale ke liye kahta hoon. Aakhir mujhe chinta hai teri.

Abhishek- Thik hai papa aage se main is baat ka dhyan rakhunga.


Lekin sabhi ko pata tha ki ye baat bas 2-4 din me hi abhishek bhool jayega. Sabhi khana khane ke baad apne apne bister par sone chale gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein.
Bohut ala darje ka update likha apne ye Mahi Maurya ji
Jis tarah se apne ek Baap ki feelings to is part mai describe kiya tarif a kabil hai
Just short of words 🤐
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 05


Sabhi khana khane ke baad apne apne bister par sone chale gaye. Isi tarah din gujarte rahe. Par abhishek ke ravaiye mein Jyada badlav nahi aaya. Haan itna jaroor huwa tha ki ab wo palat kar jawab nahin deta tha. Jab uske papa use dant-te the ya samjhate the, yaa maa samjhati thi, ya Sarita samjhati thi.


Samjhane ke kuchh din baad tak to Abhishek thik rahta tha, lekin uske baad uski harkate fir se shuru ho jati thi. Wo baat baat par maarpit shuru kar deta tha. Jisase uski shikayate ghar par aati rahti thi. Aanand ji Aur Raani ji ne ise apni buri kismet maankar Swikar kar liya tha aur apne kaan me rui daal liiya tha.


Jab bhi koi Abhishek ki shikayat karta to wo dono bol dete the ki aap khud hi apne tarike se use dekh lijiye. Isi chakkar me abhishek kabhi kabhi pit kar bhi ghar aata tha. Kul milakar ye kaha jaye to galat na hoga ki abhishek ke karan hi Aanand ji ko hamesha Sharmindagi Jhelni padti thi, Lekin Sarita ke kuchh Achhe kaam, baat vyavhaar aur badon ke prati samman ke karan Log unki tareef bhi kar dete the.


Sarita bhi Apne maa baap ki takleef samajhti thi isiliye usne Abhishek ko samjhane ka har sambhav prayash kiya. Lekin kahte hain na ki galat raste par jane ke liye bahut si dishaye hoti hain, lekin wapas aane ke liye wo sabhi dishaye band ho jati hain bas ek Sankra rasta nazar aata hai jo har koi paar nahi kar sakta, yahi haal Abhishek ka bhi tha.


Wo koshish to karta tha buri sangat chhodne ki lekin chhod nahi pata tha. Aise hi samay gujarta gaya aur Sarita ki board pariksha bhi ho gayi. Kuchh din baad uski board pariksha ka parinam aa gaya. Sarita 1st Division me paas hui thi wo bhi 95 % Number ke sath. Poore District mein 6ve number par aayi thi.


Sabhi ghar wale aur aas paas ke log jinhone bhi is baare me suna sabhi ne Sarita ki tareef ki. Sabhi ghar wale bahut khush the. Aur sabse jyada khush tha Abhishek. Wo bhale hi kitna hi bigda huwa tha. Lekin apni bahnon se bahut pyaar karta tha.


Isi Khushi me Abhishek ne Sarita aur Manisha ko apne paas bitha liya aur unse kaha.


Abhishek- main bahut khush hoon Sarita. Bahut jyada khush hoon. Jo main kabhi nahi kar paya wo tumne kar dikhaya. Maine to hamesha hi mummy papa ka naam dubaya hai, lekin ek tum hi ho jo unka sir ucha kar deti ho. Main bahut khush hoon aur isi Khushi ke mauke par main tum dono ki drawing banaunga. Bas tum dono Kuchh Samay tak aise hi baithe rahna. Uthana nahi.

Manisha- Lekin bhaiya. Didiya paas hui hai to mithai khilao pahle.

Abhishek- Nahi pahle tum dono ki tasvir banaunga. Uske baad hi mithai lene jaunga.


Aanand ji aur Raani ji ye dekhkar bahut khush the ki Abhishek bigda huwa hone ke baad bhi Apni dono bahano se bahut pyaar karta hai. unke bachho me pyaar bahut hai. Fir Abhishek ne apni drawing ka kamal dikhaya aur 1/2 hours se bhi kam samay me hi Bahut hi achhi hu-ba-hu tasvir apni dono bahanon ki bana di.


Fir kuchh colour aur pencil ki karigari ne tasvir me chaar chand laga diye. Bahut hi khoobsurat tasvir bani thi. Aisa lagta tha jaise Sarita aur Manisha shakshat tasvir me utar gayi ho. Abhishek ne tasvir banane ke baad Sarita ko dikhate huwe kaha.


Abhishek- Dekh Sarita kaisi bani hai tasvir tum dono ki.


Sarita aur Manisha ne tasvir dekhi to wo bhi khush ho gayi. Bahut khoobsurat bani thi un dono ki tasvir. Thodi der Sarita ne tasvir dekhne ke baad kaha.


Sarita- Isme kuchh kami hai bhaiya. Aap yahan baithiye main us kami ko sudhar deti hoon.

Abhishe- Lekin kami kya hai ye to tumne bataya hi nahi.

Sarita- Kami ye hai ki is tasvir me mere pyaare bhaiya ham dono ke sath nahi hain.


Uske baad Sarita ne Abhishek ko baithaya aur Apni karigari ka aisa namuna pesh kiya ki Abhishek ko namuna banakar tasvir mein utar diya. Jab Sarita ne Abhishek ko tasvir dikhayi to Abhishek hanste huwe bola.


Abhishek- hahahaha. Ye main hoon. Tumne to mujhe namuna bana diya Sairta. Tum bhi naa. Hahahaha.

Sarita- (narajgi ke sath) kya bhaiya maine aapki itni achhi tasvir banayi hai aur aap hain ki hasna rahe hain. Jaiye main aapse baat nahin karti.

Abhishek- (apne KAAN PAKADKAR) Are tum to naraz ho gayi. Main to mazak kar raha tha. Tumne bahut achhi koshish ki meri bahanaa. Khair jaisi bhi hai ab tumne banayi hai to Achhi hai. Main ise hamesha apne paas hi rakhunga.


Fir Abhishek ghar ke andar gaya aur ek chikni .05 MM ki polithin le aaya. Aur us tasvir wale kagaj ko us polithin me dalkar Stapler karte huwe apni pursh me rakh liya aur bola.


Abhishek- Ab main ja raha hoon apni bahan ke liye mithai lane.

Aanand ji- Mithai to maine subah hi la li thi. Fir kyon ja rahe ho.

Abhishek- Nahi papa. Meri bahan itne achchhe number se paas hui hai. Main apne paise se apni bahan ke liye mithai lekar aaunga.


Itna kahkar Abhishek mithai lane dukan par chala gaya. Abhishek dukan se mithayi le raha tha. Uski pith road ki taraf thi. Tabhi usne do ladko ko kuchh baat karte suna. Wo dono ladke uske ghar se thodi door hi rahte the apne pariwar ke sath. Unki baat sunkar Abhishek ka dimag satak gaya aur fir wo huwa jo joshi pariwar ne sapne mein bhi nahi socha tha.


P.ladka- Yaar suna hai Apni item bahut Achhe Number se paas hui hai.

D.ladka- Abe tu kiski baat kar raha hai. Kahi wo Sarita ki baat to nahi kar raha hai.

P. ladka- Haan be. Aanand Joshi ke beti Sarita. Suna hai 95% Number laya hai usne.

D.ladka- Haa be. Padhai me wo jitni Hoshiyar hai. Utni mast dikhti bhi hai Sali. Uski jawani bahut hilore maar rahi hai. Dekha nahi kitni mast maal banti ja rahi hai din-ba-din. Use dekhkar to man me halchal hone lagti hai yaar. Control hi nahin hota hai ab. Kash Use Chakhne ka ek mauka mil jaye to zindgi gan jaye.

P.ladka- Tu sahi kah raha hai be. Are Sarita to jo hai so hai hi. Tune kabhi Chhoti wali ko dekha hai. Manisha ko. Wo bhi Sali abhi chhoti hi hai, lekin is umar me bhi bahut katili ho gayi hai. Use dekhkar bhi mere munh me paani aa jata hai. Dono bahane ekdam patakha ban chuki hain. Man to karta hai ki dono ko Utha kar Kahin le jaun aur unke sath……………………………….


Ladke ke Aur shabd uske munh me hi rah gaye, Kyonki Abhishek na uski pith par apni kohni ka bharpoor waar kiya tha. Wo ladka dard se bilbilane laga.

(Darasal abhishek ne shuru mein unki baaton par dhyaan nahin diya, lekin jab unke munh se Sarita ka naam suna to uske kaan khade ho gaye).

Apna dost ka hal dekhkar doosra ladaka Abhishek ko marne aaya. Lekin Abhishek ne Ek joordar laat uske pet par maari. Uske baad Abhishek ne Aas paas dekha to use dukan ke bahar ek bans ka danda dikhai diya jo halwai ne kutto ko darane ke liye rakha tha. Abhishek ne wo danda utha liya aur dono ladko ko buri tarah marne laga aur bolne laga.


Abhishek- Sale Madar……d, Bhos……..le, meri bahano par buri najar rakhta hai, unke bara me gandi baat bolta hai. Aaj tum dono ko jinda nahi chhodunga. Meri bahane meri jaan hain aur tum dono ne meri jaan par buri nazar dali. Main tum dono ki aankhe phod dunga.


Abhishek bahut buri tarah se un dono ladko ko maar raha tha. Aas paas ke kuchh log Abhishek ko pakadne ke liye aaye. Lekin abhishek kisi ke kaboo mein nahi aa raha tha, wo bas lagatar un ladkon ko mare ja raha tha. Aur bad badbadaye ja raha tha. Thodi hi der me wo ladke Adhmari halat me ho gaye. Agar Abhishek unhe thodi der aur marta to dono ladke mar hi jate,


3-4 logo ne kisi tarah abhishek ko un lagko se kheechkar alag kiya aur use kheechte huwe uske ghar ki taraf le jane lage. Lekin abhishek baar baar unse apne aapko chhudane ki koshish karta aur bolta.


Abhishek- Chhod do mujhe. Mar dalunga salo ko. meri bahano par gandi najar rakhte hain sale. Chhodo mujhe. Ek ko bhi nahi chhodunga main.


Wo tino Aadmi kisi tarah Abhishek ko Uske ghar tak le jate hain. Shor sharaba sunkar jab Aanand ji bahar aate hain to unhe samajhte der nahi lagti ki Abhishek na fir se jhagda kiya hai, lekin unhe is baare me kuchh nahi pata tha ki jhagda karne ki main vajah kya thi, isliye unhone un aadmiyo se poocha.


Aanand- Kya huwa bhai. Fir se isne jhagda kiya kya kahi.

Aadmi- Jhagda nahi kiya Aanand ji. Jaan se marne ki koshish ki isne …………… aur ………… ladko ko, wo to sahi samay par ham logo ne ise pakad liya, nahi to aaj wo dono ladke to gaye hi samajh lijie. Lekin isne unhe itna jyada maar diya hai ki kahi koi mar mura na jaye. Shayad unhone kuchh kaha tha abhishek se jiske karan abhishek ne unko mara.


Aadmi ki baat sunkar Abhishek ke papa ne Abhishek ka gireban pakad kar use jhinjhodate huwe poocha.


Aanand Ji- Ab kya yahi karne ko baki rah gaya tha kya. Sab kuchh to tu kar chuka hai, Kisi ki jaan lena baki rah gaya tha, aaj tune wo bhi karne me koi kasar nahi chhodi.

Abhishek- Isme meri koi galti nahi hai, wo dono Sarita aur Manisha ke baare me gandi gandi bate kar rahe the isliye mujhse bardast nahi huwa aur maine unhe mara.


Abhishek ki baat sunkar Aanand ji ko bahut gussa aa gaya, Sachhai pata na hone ke karan unhe ye laga ki abhishek apne aapko bachane ke liye bahaane bana raha hai. Unhone gusse se garajte huwe abhishek se kaha.


Aanand ji- Ek to itna bada kand karke aaya hai aur upar se jhooth bhi bol raha hai. Tujhe sharam nahi aati. Apni karni ka thikra apni bahano par phod raha hai. Kis janam ka badla le raha hai mujhse tu. Tujhe paida karke Hamne aisa kaun sa paap kar diya jo tu hame ye din dikha raha hai. Aaj tak main teri har galtiyon ko jyada gambhirta se nahi leta tha, lekin tu sudharne wala nahi hai. Aaj main tujhe aisa sabak sikhaunga ki tu hamesha yaad rakhega.


Itna kahkar Aanand ji ne Abhishek ke upar apne thappado ki barsat kar di. Use tab tak marte rahe jab tak wo thak nahi gaye. Jab thak gaye to wo wahi jameen par baithkar rone lage. Abhishek ne Apne papa ko dekhte huwe kaha.


Abhishek- maine kuchh nahi kiya papa. Wo dono Sarita aur Manisha ke baare me gandi gandi bate kar rahe the. Isliye maine unhe mara. Kya maine galat kiya.

Aanand ji- haa tumne galat kiya. Agar wo kuchh bol rahe the to maar pit karne ki kya jaroorat thi. Unhe samjha bhi to sakte the. Tumne hame kahi munh dikhane layak nahi chhoda. Har jagah se tumhari shikayate milti rahi hain. Kabhi bhi tumne hamare bare me socha hai. Tumhare jaisa beta hone se Achha hai ki mera koi beta hi nahi hota.

Kab tak apne baap ki chhati par baitha use takleef deta rahega. Agar tujhme jara bhi sharam aur ham logo ke liye ijjat baki hai tere dil me to chala ja yaha se aur fir kabhi apni shakal bhi mat dikhana. Main bhi samajh loonga ki mera koi beta tha hi nahi.


Aanand ji ki baat sunkar raani aur Sarita ne unhe samjhate huwe kaha.


Sarita- ye kya kah rahe hain aap papa. Mana ki Bhaiya ne galat kiya hai, lekin Iske liye Aap unhe itni badi Saza mat dijiye. Hamare eklaute bhai hain ye.

Raani ji- Haan Ji. Apne Iklaute bete ko Aise koi Ghar se nikal jane ke liye kahta hai kya.


Abhishek na jab Sarita ke munh se ye suna ki wo bhi use galat samajh rahi hai to use bahut takleef hui ki uski bahan bhi usko galat samajh rahi hai. usne Sarita se kaha.


Abhishek- Tumne mujhko galat kaha sarita. Maine kya galat kiya. Wo tumhare aur Manisha ke baar me gandi gandi bate kar raha tha. Isliye maine mara. To kya maine galat ho gaya.

Sarita- Haan Bhaiya. Apne galat kiya hai. Mana ki wo hamare bare me galat bol rahe the, lekin Maar pit iska hal nahi hai. Ham unke ghar unke mammy papa se shikayat karte. Wo unhe marte. Aap kaun hote hain unhe marne wale. Wo bhi itni buri tarah se mara aapne unhe. Agar un donon ko kuchh ho gaya to aapko pata hai ki kitni badi musibat aa sakti hai ham sab par. Har samasya ka samadhan ladai jhagda hi nahi hota. Kuchh bate pyaar se bhi samjhai jati hain. Kitno ko marenge aap bhaiya. Aaj un dono ne kaha. Aap ne unhe mara. Kal koi aur kahega. To aap unhe maroge. Parso sara mohalla kahega to Kis kis se ladenge aap.

Abhishek- Main Sab ko maar dalunga jo tum dono ke bare me bura bolega. Kisi ko nahi chhodunga.

Aanand- Are nalayak Abhi bhi tu yahi khada hai. Kya mujhe maar kar hi tujhe chain milega. Maine kitne Armaan sajaye the ki mera beta bada hokar mera naam roshan karega. Mere budhape ke sahara banega, lekin tumne Achha naam roshan kiya hai mera. Are begairat. Agar tujhme jara bhi sharam bachi hai to nikal ja mere ghar se. aur dobara kabhi apni shakal mat dikhana.


Ye baat lagbhag har baap apne bachho se bol deta hai jab wo bahut gusse mein hota hai. Ek najariye se dekha jaye to abhishek ne yahan par kuchh galat nahin kiya tha, kyonki is baat baat uski bahanon ki thi, lekin wo iske pahle itni baar ladaai jhagda kar chuka tha ki uska ye jhagda jo usne apni bahano ke liye kiya tha wo bhi galat hi najar aane laga tha uske papa ko jo abhi bahut gusse mein the. Rahi sahi kasar Sarita ne ye bolkar poori kar di ki abhishek ne galat kiya hai. Bachpan se hi chhoti- chhoti baton ko dil se lagaane wale abhishek ne Sarita ki is baat ko bahut jyada dil pe le liya. Abhishek ne Sarita ko dekhte huwe kaha.


Abhishek- Sarita mujhe papa ki baat sunkar itna bura nahi laga jitna tumhari baato ka.


Itna kahkar Abhishek ghar ke andar chala gaya aur apna saman ek bag me rakhne laga. Raani ji Sarita aur Manisha sabhi uske pichhe gaye aur use rokte rahe. Lekin wo nahi mana. Bas yahi kahta raha ki Use Sarita ki baton ne dukhi kiya. Use Sarita se aisi ummeed nahin thi. Wo apna bag lekar kamre se bahar aaya aur jane laga to Raani, Sarita aur Manisha use rokne ki koshish karne lage to Aanand ji ne kaha.


Aanand ji- Jane do isko. Badi garmi chadhi hain iske khoon me na. Jab duniya ki thokre khayega tab akal aayegi. Jab jindagi ki hakikat ka samna hoga tab aante dal ka bhav pata chalega. ChAr din baad jab khoon ka ubaal kam hoga to apni galtiyan najar aayegi ise. Tab pata chalega ki duniya apne hisab se nahin chalti. Hame duniya ke hisab se chalna padta hai.


Aanand ji ki baat sunkar Abhishek Sabhi se apne ko chhudakar ghar se bahar nikal gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Ab is update ka barey kya hi kahe Mahi Maurya ji
Dekha jaye to Abhishek bhi apni jagah sahi tha aur sarika and anand ji bhi but wo kehta hai kabhi kabar hum sahi hote hai but situation aur us situation create hone ki wajah galat hoti yaha bhi yahi huwa Abhishek ko galat isliye kaha gaya ki usne Pehle bohut si galtiya ki agar wo Pehle galtiya na karta to shayad aaj ki is ghatna ka anand ji aur sarika bura na lagta but kya karskte hai life mai aisi bohut si unplanned situations ahi jati hai

Ab dekhte hai Anand ji ka yo Abhishek ko ghar se nikal Jane ka kehna sarika tu apne bhai ko galat kehna aur gusse mai Abhishek ka liya gaya ye kadam inki aneh wali zindagi mai kya asar lata hai.
BRAVO 🙌
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
supreb updates waise romantic movements ab suru hone hain
धन्यवाद आपका मान्यवर।
बहुत जल्द।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Completed reading 3 updates and I already fall in love with your writing skills Mahi Maurya
They way your describing each and every character and situations that's really commendable.
And Hindi mai bhi kuch kahoonga kyunki akhir kahani hi is language mak hai.
Jis tarah se apne anand ji, raani ji ke Naam ke sath har baar ji lagaya hai na wo batata hai ki apki sonch kaisi hai ye sirf kahani ke characters hai but jis tarah aap un characters ko bhi itna respect ke sath likh thi jo ye dikhata hai aap apno kahani se kis had tak judi huwi hai aur jab ek writer khud ko ek kahani se is tarah jod leta hai to wo kahani apne ap hi kamyab hojati hai.
Just a marvelous updates with top notch written.
BRAVO🙌
धन्यवाद आपका महोदय।।
सबसे पहली बात तो आपने बहुत ज्यादा तारीफ कर दी हमारी।
बात ये है कि किसी को सम्मान देने से अपना कोई नुकसान नहीं है बल्कि सामने से भी वैसे ही सम्मान मिल सकता है।
अब ये सम्मान चाहे कहानियों में हो, या हकीकत में। इससे शब्दों की खूबसूरती और दिल से दिल तक का रिश्ता और मजबूत हो जाता है।
हमारा तो ये वस छोटा से प्रयाश है।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Bohut ala darje ka update likha apne ye Mahi Maurya ji
Jis tarah se apne ek Baap ki feelings to is part mai describe kiya tarif a kabil hai
Just short of words 🤐
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।।
हर बाप यही सोचता है कि अगर किसी कारणवश वो अपनी जिंदगी में नाकाम रहा है तो कम से कम उनके बचे ये नाकामी तो न झेलें इसलिए आनंद जो पूरी कोशिश कर रहे हैं, लेकिन अभिषेक को शायद कुछ समझ मे ही नहीं आ रहा है।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Ab is update ka barey kya hi kahe Mahi Maurya ji
Dekha jaye to Abhishek bhi apni jagah sahi tha aur sarika and anand ji bhi but wo kehta hai kabhi kabar hum sahi hote hai but situation aur us situation create hone ki wajah galat hoti yaha bhi yahi huwa Abhishek ko galat isliye kaha gaya ki usne Pehle bohut si galtiya ki agar wo Pehle galtiya na karta to shayad aaj ki is ghatna ka anand ji aur sarika bura na lagta but kya karskte hai life mai aisi bohut si unplanned situations ahi jati hai

Ab dekhte hai Anand ji ka yo Abhishek ko ghar se nikal Jane ka kehna sarika tu apne bhai ko galat kehna aur gusse mai Abhishek ka liya gaya ye kadam inki aneh wali zindagi mai kya asar lata hai.
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।
अब इसके बारे में क्या ही कहें।
अभिषेक आनंद जी और सरिता सब अपनी अपनी जगह सही हैं।
एक भाई कभी नहीं चाहेगा कि कोई उसके सामने उसकी बहन और माँ को गलत बात करे और वो चुपचाप सुन ले। वो कोई न कोई प्रतिक्रिया तो जरूर देगा।
एक बाप जो अपने बच्चे को सही रास्ते पर लाने के लिए दिन रात एक कर रहा है। अगर उसे पता चले कि उसके बेटे ने किसी को इतना ज्यादा पीट दिया है कि वो जीवन मरण जे बीच अटक गया है , ऊपर से उसका बेटा पहले से ही राह भटका हुआ है उसकी यही प्रतिक्रिया होगी।
एक बहन जो अपने भाई से बहुत प्यार करती है वो कभी नहीं चाहेगी कि उसकी वजह से उसके भाई को कोई खतरा हो।
सही सब हैं बस परिस्थितियां और पुराने कारनामों के कारण ऐसी स्थिति बन गई कि अभिषेक सही होते हुए भी गलत साबित हो गया।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 43


khana khakar Jab Sarita hath dhulne kitchen me chali gayi to Savita na Nishchal se kaha.


Savi- Kya baat hain Nishu. tu kuchh pareshan sa dikh raha hai.

Nishchal- Nahi di. aisi to koi baat nahi hai.

Savi- Fir tu baar baar Sarita ki taraf kyon dekh raha tha. jaise tu usase kuchh kahna chah raha ho.

Nishchal- (najar niche karke) Nahi di. aise kuchh nahi hai.

Savi- Najar niche karke nahi. mujhse najar milakar bol ki jo main kah rahi hoon wo galat hai.


Savita ki baat sunkar Nishchal ne ek najar Savita ki taraf dekha fir apni najare niche kar li. ye dekhkar Savi ne kaha.

Savi- Iska matlab main sahi kah rahi hoon. ab chupchap bata kya baat hai.

Nishchal- Di wo.. woo kya hai na.. wo main Sarita se mafi mangna chahta tha.

Sarita- Mafi wo kisliye.

Nishchal-wo kal maine uske sath.


Fir Nishchal ne kal raat ki kahani Sarita ko bata di. Jise sunkar Savita gussa ho gayi aur nishchal se boli.


Savi- Nishu. tu pagal hai. ye kya tarika tha SArita se baat karne ka. tumhe pata bhi hai ki tumne kya kiya. mujhe tumse ye ummeed nahi thi.

Nishchal- Sorry di. Us samay mujhe gussa aa gaya tha. isliye wo sab ho gaya. usi ke liye to main Usase mafi mangna chahta hoon.

Savi- Yahi thik rahega tumhare liye. nahi to mujhse bhi baat mat karna tum.

Nishchal- Nahi di. main Sarita se maafi mang lunga fir sabkuch pahle jaisa ho jayega.

Savi- thik hai ab tum jao. sahi samay dekhkar usase baat kar lena.


Savita ki baat sunkar Nishchal uthakar apne kamre me chala gaya. Sarita aur Savita bhi apne apne kamre ke chali gayi. Subah jab Sarita sokar uthi aur niche aayi to gatekeeper ne use fir se guldasta lakar diya. Jis par ek card laga tha aur uspar likha tha. Ek bahadur aur Janbaj Police Officer ko is nachhez ki or se tuchchh si Bhent. Aapka Sabse bada Fan aur Shubhchintak.


Sarita- (man me) ye to kal wala hi guldasta lag raha hai. lekin ye diya kisne hai. I am dam sure ki PS me bhi is insan ne guldaste bheje honge. jaldi hi mujhe pata lagana hoga ki ye sab kaun kar raha hai.


Sarita uske baad jaldi jaldi fresh hokar nashta karke PS Pahuch gayi. to usne dekha ki Janhavi ki tabal par guldasta rakha huwa hai. Janhavi ne Sarita ko dekhte huwe selute kiya aur wo guldasta uthane lagi to Sarita ne kaha.


Sarita- I hope so ki ye guldasta tumhare liye hi ho mere liye nahi.

Janhavi- (hanste huwe) Nahi madam. Ye aapke liye hi hain. meri aisi kismet kaha ki koi mujhe guldaste bhent kare.

Sarita- Not again yaar. aisa mat bolo.

Janhavi- Sach me madam. ye aapke liye hi hain.

Sarita- Kisne bheja hai naam likha hai.

Janhavi- Nahi madam. bas itna likha hai ki For You Miss Sarita.

Sarita- Aree yaaar. Pahle se hi kya itni musiabat kam thi jo fir se ek nai musibat gale pad rahi hai. waise wo kaun tha tumne dekha use.

Janhavi- Nahi madam. jab main aayi to ye bahar hi rakha huwe tha. maine aapka naam dekha to utha liya.

Sarita- (sochte huwe) Thik hai Janhavi.

Janhavi- Aap Tension Kyon le rahi hain madam. Jaroori thodi hi hai ki Jisne kal aapke liye guldasta bheja tha usi ne aaj bhi bheja ho. waise bhi madam. Ladkiyon wale mamle ke baad aapki fan following itni jyada badh gayi hai ki jawan to kya buddhe bhi aapke fan ho gaye hain. ho sakta hai unme se hi kisi ne bheja ho aapke liye.


Janhavi ne ye baat hanste huwe kahi. jise sunkar Sarita ne use aankh dikhate huwe kaha.


Sarita- Very funny. Kuchh jyada hi dimag lagati ho tum. chalo apna kam karo. aur ye guldasta tum dustbin me dal do.

Janhavi- Ji madam.


Uske baad Sarita apne cabin me chali gayi aur file nikal kar kam karne lagi. Aajj usne Field me jana cancle kar diya tha aur din bhar filis mein hi ghusi rahi. Aaj usne files ka dher sara kaam niptaya. sham ko wo ghar par aa gayi aur fresh hokar Sarita ke sath baith kar thodi bahut baatcheet ki aur fir uthkar apne kamre me chali gayi aur apne bister par late gayi.


PS me din bhar baithe baithe wo thak gayi thi to use halki si jhapki lag gayi. abhi use jhapki lage kuchh hi der huui thi ki use laga ki Nishchal chilla raha hai. Uski neend khul gayi aur wo man hi man boli.


Sarita- (man me) kya yaar waise bhi kya kam tha iska chillana jo ab neend me bhi aakar chillane laga hai ye.


ye sochkar Sarita ne fir se apni aankhe band kar li. aankhe band karne ke baad fir se use NIshchal ke chillane ki aawaz aayi. is baar Sarita neend me nahi thi. wo turant uthkar bistar par baith gayi aur kaha.


Sarita- Nahi ye neend me chillane ki aawaz nahi hai. ye hitlar to sach mein chilla raha hai lekin kispar chilla raha hai ye.


usne ghadi me dekha to raat ke lagbhag 9 bajane wale the. Nishchal ka chillana badastur jari tha to wo apne kamre se nikal kar niche haal mein aayi to dekha ki Nishchal Savita par chilla raha tha. niche aane ke baad turant Sarita ne kaha.
Sarita- Kya ho raha hai ye sab. ye kya kar rahe hain aap. is tarah di par kyon chilla rahe hain.


Nishchal is samay poore gusse me tha. usne bina Sarita ki taraf dekhe hi kaha.


Nishchal- Its non of your business. ye hamara personal matter hai. tum in sabse door hi raho.

Sarita- Main bhi is ghar me rahti hoon. to yaha par jo bhi ho raha hai wo jan-ne ka mujhe bhi hak hai. baat kya hai wo mujhe bhi bataiye.


Nishchal pahle se hi gusse me tha. Sarita ki baat sunkar wo aur bhi gussa ho gaya aur usne Sarita ki taraf mudkar Uski banh pakad li aur uski aankho me gusse se dekhte huwe kaha.


Nishchal- Yaha koi tamasha nahi ho raha hai Samajhi. Maine kaha na kit um is matter se door raho aur jao yaha se..

Sarita- (chillakar) Sab kuchh aapke mutabik nahi hoga. Samjhe aap. main koi kathputali nahi hoon ki jab aap bolenge tab main hansungi. jab aap bolenge tab main roungi. jaisa aap mujhe chalayenga waisa main chalungi. jab tak aap batayenge nahi ki aap di ke upar kyon chilla rahe hain tab tak main yaha se kahin nahi jane wali.

Nishchal- tum har mamle me apni tang kyon adane lagti ho. maine kaha na ki tum is matter se door raho.


Itna kahakar Nishchal ne dant piste huwe Sarita ki banh aur sakti se pakad li. ghar me naukar ek kone me khade hokar ye tamasha dekh rahe the. Savita Nishchal ke paas gayi aur use chhudane lagi.


Savi- Kya kar raha hai Nishu. Chhod Sarita ko.

Sarita- Aapse mera koi rishta nahi hai. na hi kabhi koi rishta ho sakta hai, lekin di ko maine apni badi bahan mana hai. isliye main ye bilkul bhi bardast nahi karungi ki koi meri di se is tarah se pesh aaye aur unhe kuchh galat bole.


Nishchal ko Sarita ki baat bahut kharab lagi. isliye usne Sarita ko Dhakka de diya to wo bagal me rakhe sofe se ja takrayi aur gir gayi. jisase uska panv mund gaya dard se uski cheekh nikal gayi. ye dekhkar Savita ne ek thappad Nishchal ke gal par laga diya aur daudkar Sarita ke paas gayi aur use uthate huwe gusse se boli.


Savi- Ye kya badtameezi hai Nishu. Tumhe mujhse pareshani hai na to tum mera gussa Sarita par kyon nikal rahe ho. Yahi sab sikhaya hai maine tumhe ki kisi nirdosh par apna gussa nikalo. mujhe tumse aisi ummeed nahi thi Nishu. Sarita tum thik to ho na. tumhe kahi lagi to nahi.

Sarita- Nahi di main thik hoon.


Sarita ko halka sa dard to ho raha tha. kyonki abhi kuchh din pahle hi uske kandhe par goli lagi thi. to thoda bahut dard abhi bhi tha uska upar dhakka lagne se aur girne se dard me izafa bhi ho gaya tha. sarita ko Nishchal par gussa to bahut aa raha tha lekin usne apne gusse ko daba liya. Savita ne Sarita se kaha.


Savi- Sarita tum apne kamre me jao. main Nishu se baat karti hoon.

Sarita- Nahi di. main yaha se kahi nahi jane wali. main bhi dekhti hoon ki Sir kaise aapko nuksan pahuchate hain. jab tak mujhe poori baat pata nahi chalegi main yaha se kahi jane wali nahi hoon. Bataiye sir baat kya hai jo aap di par itna bhadak rahe hain.


Nishchan ne Sarita ko bato ka jawab dena jaroori nahi samjha aur Savita ke paas jakar khada ho gaya aur gusse se bola.


Nishchal- Di jab maine aapko mana kiya tha ki aap us insan se na to doobara milengi aur na hi usase baat karengi. to aapko meri baat samajh me kyon nahi aa rahi hai. aap kya chahti hain ki main koi aisa waisa kadam utha lu uske khilaf.


Nishchal ki baat sunkar SArita ko Sab samajh me aa gaya ki nishchal kisliye Savita ke upar bhadka huwa hai. Sarita ne man me kaha ki lagta hai ki aaj di Anant ji se milne gayi thi aur Sir ne unhe Anant ji ke sath dekh liya isliye ye itna bhadake huwe hain. Nishchal ki baat ka jab Savita ne koi jawab nahi diya to Nishchal ne chillate huwe kaha.


Nishchal- maine aapse kuchh poocha hai di. jab maine aapko mana kiya tha us aadmi se milne ke liye to aap us aadmi se dobara kyon mili.


Ye sunkar Sarita Nishchal aur Savita ke bich me aakar khadi ho gayi aur gusse se boli.


Sarita- To kya galat kar diya di ne agar kisi se mil liya to.

Nishchal- (gusse me) Tumhe har baat ke bich me padne ki bimari hai kya. maine tumse kaha na ki ye mera aur di ka personal matter hai tum isme apni naak mat ghusao. aur jab koi baat pata na ho to usme koodne ki koi jaroorat nahi hai.

Sarita- Mujhe sab pata hai ki baat kya hai. aur main wahi kah rahi hoon ki agar di unse milne chali bhi gayi to unhone kaun sa gunah kar diya unse milkar. aakhir wo itne ache jo hain.

Nishchal- Meri bahan ke liye kaun achha hai aur kaun bura hai ye main ache se janta hoon. tumhe mujhe batane ki koi jaroorat nahi hain.

Sarita- Jaroorat hai tabhi to bata rahi hoon. aap ache aur bure insan ki parakh bhool gaye hain tabhi to bata rahi hoon aapko. Anant ji bahut ache hain. aapko ek baar unse fir se milna chahiye aapki galatfahmi door ho jayegi.

Nishchal- (hairani se) Tum kab mili us insane se.

Sarita- Ye baat mayne nahi rakhti ki main kab mili unse. yaha matter ye karta hai ki unse ek baar aapka milna jaroori hai. meri baat maniye to ek baar unse mil lijiye.

Nischal- Main kyon manu tumhari baat. main us gunde mawali se nahi milunga. chahe kuch….

Savi- (bich me hi) Wo gunde mawali nahi hain. tum ek baar unse milo to sahi

Nishchal- (gusse me) Mujhe ek hi baat ko baar baar dohrane ki aadat nahi hai. main eek bar kah diya ki aap usase nahi milengi to nahi milengi. wo aapke liye achha ladka nahi hai.

Sarita- aap samajh kyon nahi rahe hain Sir. Di kitna pyaar karti hain Anant ji se.

Nishchal- Mujhe kuchh nahi pata. main bas itna janta hoon ki wo meri di ke liye achha ladka nahi hai.

Sarita- Ek baat bataiye. Kyaa aap usase door rah payenge jisase aap pyaar karte hain.

Nishchal- (Aankh dikhate huwe) Tum isme mere baat kyon ghused rahi ho.

Sarita- Main baat ghused nahi rahi hoon. main ye jan-na chahti hoon ki agar di aapse door ho gayi to kya aap di ke bina rah payenge. ya aap kisi ladki se pyaar karenge to usase door rah payenge.

Nishchal- Miss Joshi. aap apni limit cross kar rahi hain. behtar hoga kit um yaha se chali jao. wo gunda mawali hai. isliye main usase di ki shadi nahi hone doonga.

Sarita- Main kahi nahi jane wali. ab to main aapko hi lekar har baat kahungi. aur ye bataiye aap mujhe. aap kis bisis par Anant ji ko gunda mawali bol rahe hain.

NIshchal- Tumhe is baat se koi matlab nahi hona chahiye. ye mere ghar ki baat hai meri di ki baat hai to tum isase door hi raho.

Sarita- Wo meri bhi di hain aur aap baat mat badaliye maine aapse jo poocha hai uska jawab dijiye.

Nishchal- Wo tum di se hi pooch lo. maine di ko sab bataya hai.

Sarita- Mujhe sab pata hai. di ne mujhe sab kuchh bata diya hai. Agar Anant kisi ko maar rahe the to aapne karan jan-ne ki koshish ki ki wo us aadmi ko kyon maar rahe the. nahi bas unhe kisi ko marte dekha aur use gunda mawali ghoshit kar diya.

agar bina karan jane hi maar pit karne wala aapki najar me doshi hai to maine bhi aapko kitni baat thappad mara hai to main bhi gundi mawali ho gayi. aapne bhi to kitni baar kitna nirdosho ki shak ke aadhar par dande se pitayi ki hogi. iska matlab aap bhi gunde mawali ho gaye.

kisi insane ko jabran pareshan karna. uska hak marna. bina matlab maarpit karna ye sab gunde mawali karte hain.

Mr. Nishchal Singh Rathod. Apne garam khoon ke ubal ko thanda kijiye aur apne inspector wale chashme se sabko dekhna band kar dijiye. jise pahan kar dekhne se aapko jhagda karne wala har insane gunda mawali lagta hai.

yaha par apna pulisiya dimag mat lagaiye. Ek bhai ki tarah sochiye. apni bahan ki khushiyo ke bare me sochiye. bina kisi baat ki tah tak pahuche aur usase bhi badi baat ki bina us insaan se mile aur usase bina baat kiye hi aapne apne man me uske liye ek gunda mawali ki chhavi bana li hai.

Nishchal- Miss Joshii tum…..

Sarita- (baat ko katkar) Abhi meri baat khatam nahi hui hai Mr Rathod. Aapko ehsas hi nahi hai ki di Anant ji se kitna pyaar karti hai aur Anant ji bhi di se kitna pyaar karte hain. Tabhi to abhi tak dono Is intezar me baithe hain ki unka Prem ek din sakar hoga. Aap di ki baat samjhoge.

Agar di chahti to aapko is bare me kuchh na batati aur chhup chhup ke shadi kar leti. Lekin di ne aisa nahi kiya. Unhone sabse pahle aapko bataya kyonkiki aap unke bhai hain. unki bhavnao ko samjhenge.

lekin aapne kya kiya. Pichhle 5 saal se di isi ummeed mein hain ki ek din aap Anant ji se milenge aur di se kahenge ki aapko di ki pasand par naz hai, lekin nahi aap to apni zid par ade huwe hain. jab di kah rahi hain ki aap ek baar unse mil lijiye unse baat kar lijiye. to mujhe ye samajh me nahi aata ki aapko Anant ji se ek baar milne me dikkat kya hai.

Nishchal- Mujhe Na us insane se milna hai aur na hi usase baat karni hai.

Sarita- Fir to di bhi aaj ke baad aapki baat nahi manengi.


Savita Sarita ke pichhe khadi hokar aanshu baha rahi thi. Sarita ki baat sunkar Nishchal gusse se chillate huwe bola.


Nishchal- maine tumse kaha na ki tum mere personal mamle me mat pado aur apne kamre me jao.

Sarita- Main kahi nahi jane wali aur ye ab aapka personal matter nahi hain. di ka matter mera matter hai.

Nishchal- Sarita tum ye thik nahi kar rahi ho. yaha se chali jao nahi to tumhare liye achha nahi hoga.

Sarita- Main aapki dhamkiyo se darne wali nahi hoon. Kya kar loge aap mera. Akadu.


Baat ko badhte dekh Savita Sarita ke pichhe se nikal kar samne aayi aur Nishchal se boli.


Savi- Nishu bas karo. ghar me 2-3 mulajim bhi hain aur tumne koi kasar nahi chhodi hai unke samne meri izzat utarne mein. bas karo tum. mujhe is bare me ab koi baat nahi karni hai. tum jo chahte ho waisa hi hoga. main nahi milungni Anant se.


Ye kahkar SAvita rote huwe sidhiya chadhte huwe apne kamre me chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 06


Abhishek ke ghar chhodkar jane ke baad Sabhi ka ro ro kar bura haal ho gaya tha. Raani ji rote huwe Aanand ji se boli.


Raani ji- Aapne use jane ke liye kyon bola. Dekhiye Aap ke kahne ke baad wo ghar chhodkar chala gaya. Mera beta. Aapne aisa kyon kiyaa.

Aanand ji- Jane do use. Jab jamane ki thokar khayega to Zindagi ki hakikat se rubaru hoga. Use bhi to pata chalna chahiye ki Zindagi itni aasan bhi nahin hai jitni wo samajh raha hai. Jab Aante dal ka bhav pata chalega to wo khud hi lautkar ghar aa jayega.

Sarita- Nahi papa. Bhaiyaa ab nahi aayenge. Unhe meri baat buri lag gayi hai. Maine to bas yahi kaha tha ki unhone jo kiya wo galat tha. Mujhe nahi pata tha ki meri ye baat unko itni buri lag jaegi ki wo ghar chhod kar chale jaenge.

Raani Jii- Tujhe bolna hi nahi chahiye tha kuchh. Agar tu chup rahti to wo shayad nahi jata.

Aanand ji- Isme Sarita ki koi galti nahi hai. Usne kuchh bhi galat nahi kaha. Achha ab tum dono shant ho jao. Wo kahi nahi jayega. Laut ke ghar hi aayega.


Aaj Sarita ne District me 6th position ke sath 95% Number lakar apne papa ka naam roshan kar diya tha, Sabhi bahut khush the. Uske itne number se paas hone ki khabar jangal me aag ki tarah fail gayi thi. Lekin kuchh hi pal me sari khushiya matam me badal gayi. Unki sari khushiya Abhishek apne shath le gaya tha.


Isi tarah raat ho gayi. Kisi ne thik se khana nahi khyaa aur apne apne bister par chale gaye. Kisi ki aankho mein neend nahi aa rahi thi. Jab bhi koi khatka hota. Raani ji ya Sarita turant jakar darwaza is ummeed mein kholti ki shayad Abhishek ghar aa gaya hoga, lekin wo ghar nahi aaya.


jab is baat ki khabar Sarita ke mama ko hui to wo bhi apni patni ke sath Aanand ji ke yahan aaye aur unhe dilasa dene lage. Wo dil asha dene ke alava aur kar bhi kya sakte the.


Isi tarah din gujarte rahe din mahino me badle aur mahine varsh me tabdeel ho gaye, lekin abhishek jo ghar chhodkar ek baar gaya to wo wapas nahi Lauta. Usne sarita ki baat ka bahut bura maan liya tha. Ek baar bhi uski baat ka matlab samajhne ki koshish bhi nahi ki thi abhishek ne.


Sarita ne kuchh bhi galat nahi kaha tha. Ek ladki jab jawan hoti hai to uske upar jism ke bhukhe giddhon ki najar hamesha rahti hai. Lekin sabse lada nahin ja sakta, kuchh ko avoid kar diya jata hai kuchh ko samjhaya jata hai. Tab jakar ladki safe hoti hai.


Baharhaal Abhishek bhale hi ek bigda huwa ladka tha. Lekin usne kabhi bhi kisi ki bahan beti ko buri najar se nahi dekha tha. Uski jo bhi shikayat ghar par aati thi wo kewal ladai jhagda ya maarpit ki hi aati thi.


Aanand ji ko baad mein pata chal gaya tha ki un dono ladko ne Sach mein Sarita aur Manisha ke bare me buri baat ki thi isliye Abhishek ne unhe mara. Aanand ko bahut afsos ho raha tha ki unhone gusse me aakar abhishek ko ghar se jane ke liye bol diya. aur abhishek ghar chhodkar chala bhi gaya. Wo sabke samne bhale hi apne aapko mazboot banana ki koshish karte the, lekin jab akele hote the to unhe apni ye bat sochkar aansu bahate the.


Ghar ke sabhi shadashyo ka bhi yahi haal tha. Abhishek ghar chhodkar kya gaya unki sari khushiya aur hansi apne sath le gaya. Usko gaye poore do sal ho chuke the. Aaj fir se Sarita ka Inter mediate ka result aaya. Jisme usne fir se 93% mark laye. Lekin ab uske liye inka koi mahatva nahi rah gaya tha.


Uski khushiyo me shamil hone wala bhai nahi tha ab. Sarita ke marks ke baare me sunkar aas paas ke log khush the, lekin Sarita ke chehre par koi Khushi nahi thi. Jise dekhkar Manisha Samajh Gai ki Sarita kisliye dukhi hai. Isliye usne Sarita ko samjhate huwe mahaul ko halka banate huwe kaha.


Manisha- ye kya didiya. Kab tak aise gumsum rahogi tum. Jo ho gaya use bhool jao. Bhaiya ko agar hamse pyaar hota to wo kabhi bhi ham sabko chhodkar nahi jate. Aur agar gusse mein chale bhi gaye the to aaj do saal ho gaye hain. Wo wapas jaroor lautkar aate. Wo ab hamse pyaar nahin karte didiya. Achha chhodo ye sab. tum itne acche nambero se paas hui ho. Chalo dukan par chalte hain mithai khane.

Sarita- mera man nahi hai kahin jane ka. Aaj bhaiya ki bahut yaad aa rahi hai. Mere hi karan bhaiyaa ko ghar chhodkar jana pada. Main achi bahan nahi hoon Manisha. Main achhi bahan nahi hoon. Agar us samay main chup rahti ho bhaiya hame chhodkar kabhi nahin jate. Ye sab mere hi karan huwa hai.

Manisha- nahi didiya. Aap bahut achhi ho. Main to aapse bahut pyaar karti hoon. Aap sabse achhi ho. Dekhna ekdin bhaiya ko apni galti ka ehsas hoga aur wo wapas jaroor laut kar ayenge.

Sarita- Kash aisa ho jaye Manisha. Wo din meri zindagi ka sabse bada din hoga. Us din mujhe zindagi ki sabse badi Khushi milegi.


Aanand ji aur Raani ji unki baate sun rahe the. Unhe bhi jitna dukh Abhishek ke jane ka tha. Usase jyada Khushi is baat ki bhi thi ki uski dono betiya apne bhai se ab bhi bahut pyaar karti hain. Wo dono unke paas aaye aur unhe samjhate huwe bole.


Aanand Ji- Dekho beti sarita. Jo bhi ho gaya use na tum badal sakti ho aur na hi main. Jo niyati ne likha tha. Wo to hona hi tha. Uske liye tum apne aapko dosh mat do. Uske liye agar koi doshi hai to wo main doshi hoon, kyonki maine hi use ghar se jane ke liye kaha tha. Ab abhishek to chala gaya hai beti. Ab tumhi dono hamari zindagi ho, tum dono ke sahare hi ham aage ki zindagi jiyenge. Isliya apne man ko udas mat karo. Aur jo ho gaya use bhoolkar Jeevan ke har kshetra me aage badho.

Raani ji- haan beti Tumhare papa thik kah rahe hain. Jo ho gaya use wapas nahi laya ja sakta, lekin jo samne hai use to hansi khusi jiya ja sakta hai na. to tum apne aapko doshi man-na band kar do beti. Jo karam kismet me hota hai usase adhik nahi milta.


Apne mummy papa ki baat sunkar dono unke gale gal gayi. Wo kahte hain na ki samay har Zakham ko bhar deta hai. Lekin yahan par Sarita ko abhishek ke jane par jo jakhm laga tha uski bharpai hona bahut mushkil thi.


Gujarte samay ke sath Sarita ne Abhishek ko dhoondhne ki bahut koshish ki, lekin wo apne ghar se jyada door ja nahi sakti thi, fir bhi jitna sambhav ho saka usne apne hath panv chalaye abhishek ko dhoondhne ke liye.


5 Varsh baad.


Aaj Sarita 23 Sal ki bharpoor jawan ladki ban gayi thi. Aanand ji ne ji tod mehnat karke Sarita ko M.Sc ki padhai karwai thi. Wo bhi math subject se. Sarita ne M.Sc. Bhi bahut Achhe marks me uttiran ki thi. Manisha bhi 20 varsh paar karke 21ve me pravesh kar chuki thi aur B.Sc. final me thi.


Aaj Aanand ji ka ghar Phoolo se sajaya gaya tha. Tarah Tarah ke pakwan banaye ja rahe the. Sabke chehre par Khushi jhalak rahi thi. Aanand Ji aur raani Ji daud daud kar har kaam kar rhe the. Halwai ko samjha rahe the ki kaise kaun sa pakwan banana hai. Kitne baje khana ban jana hai. Aanand ji ki bahane aur Sale sabhi samay par aa gaye the.


Iska Kaaran tha Aaj Sarita ki sagai ho rahi thi. Ladka Sarkari vibhag me 2400/- GP par TA ke pad par Jabalpur mein kaam karta tha. Badi masakkat ke baad ye Rishta jama tha. Ladke ke gharwalo ne moter cycle aur 2 lakh Rs. Nagad dene ki baat ki thi. Tab jakar Rishta final huwa tha.


Iske baare me jab Sarita ko pata chala to usne is rishte ke liye saf inkar kar diya. uska kahna tha ki main apne maa baap ko karz me dalkar unke dukh aur dard par apne khushiyo ka mahal nahi khada kar sakti. Jiske baad Aanand ji aur Sarita ke bich tikhi nock jhok hui (jhagde wali nahi Samjhane wali) bahut mushkil se Sarita is shadi ke liye taiyaar hui.


Aisa nahi tha ki Sarita aage nahi padhna chahti thi. Aur aage ki padhai karna uska sapna tha. Wo padh likh kar apne pairon par khada hona chahti thi. Lekin wo apni aarthik shtiti ko bhi bhali bhanti samajhti thi. Use pata tha ki uske bhaai ke chale jane ke baad uske papa bahut toot chuke hain, kyonki sachhai pata chalne par wo khud ko doshi maan rahe the.


Aanand ji bahut mehnat karke dono betiyon ko padha rahe the. Sarita ko ache sa abhash tha ki uske pichhe Manisha bhi padhai kar rahi hai aur Uske baad Manisha ki shadi bhi karni hai. Jiske liye paiso ki bahut jaroorat hai. Do betiyon ki shadi kuchh samay ke antaral par karna Uske papa ke liye bahut Mushkil thaa.


Waise bhi hamare samaj ki vidambna yahi hai ki ladki chahe jitni bhi sundar kyon na ho, gunvaan aur padhi likhi kyon na ho. bina dahez ke uski shadi hona bahut hi mushkil hai, inhi sab paristhitiyon ko dekhte huwe sarita ne Shadi ke liye haan kar diya tha. Yahi nahi. Usne 2-4 Sarkari naukari ke liye bhi form bhara tha.


Do bar wo uttiran bhi hui thi. Lekin uski kishmat me shayad naukari nahi thi. Isliye uska selection nahi ho paya tha. Sarita ek samajhdar aur sankari ladki thi. Usne apne papa ki condition ko dekhte huwe apne sapno ka gala ghot diya tha.


Kuchh hi der baad sagai ke liye ladke wale aane ko the. Lekin Sarita ko Aaj Abhishek ki bahut yaad aa rahi thi. Waise to use har koi yaad karta tha, lekin Sarita sabse jyada yaad karti thi use. Wo use yaad karte huwe gumsum biathi hui thi, uski aankho me aanshu aa gaye the. Manisha ne jab uski haalat dekhi to wo samajh gayi ki uski didiya Bhaiya ko yaad kar rahi hai. Isliye wo uske paas jakar baith gayi aur Sarita ke balo me hanth firate huwe boli.


Manisha- Kya huwa didiya. Tum ro kyon rahi ho. Aaj to Khushi ka din hai. Tumhari sagai hone wali hai.

Sarita- tujhe to pata hai ki main kyon ro rahi hoon. Mujhe bhaiya ki bahut yaad aa rahi hai. Kaash wo aaj hamare sath hote to bahut khush hote wo. Lekin mere karan wo ghar chhod kar chale gaye.

Manisha- Aap har baar apne aapko kyon dosh deti ho didiya. Wo aapki wajah se nahi gaye. Wo niyati ka fer tha didiya jo bhaiya ko hamse door le gaya. Bhaiya bhi ham logo ko bahut yaad karte honge.

Sarita- Agar bhaiya ham logo ko yaad karte to ab tak laut kar ghar jaroor aate. Kam se kam ek baar to aakar dekh lete ki unki bahano ka unke bina kya haal ho gaya hai. Unki bahane unse kitna pyaar karti hain.

Manisha- Aap aisa kyon sochti hain didiya. Bhaiya ko ek din apni galti ka ehsaas hoga aur wo jaroor laut kar aayenge. Chalo ab ye aanshu poch dalo. Aaj to Khushi ka din hai. Aap ko aankhon me aanshu ache nahi lagte didiya.


Fir dono bahane kuchh der baat karti rahi. Thodi hi der me ladke wale aa gaye. Apni kshamta ke anusar Aanand ji ne poori vyawastha ki thi. Kuchh hi der mein sagai ki rashm shuru ho gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Khubsurat bas yahi nikla apne Maan se is update ko padhkar Mahi Maurya ji
Jis tarah se apni sab ki feelings ko dikhaya Abhishek ke jane Baad wo Lajawab hai
Pora pariwar hi dhuki hai ek Abhishek ke jane par kehta hai zindagi ka ek niyam ke hume iske sath chalte jana chahe hume manzoor ho ya na ho
Jaha anand ji ki dono hi betiyon ne unka Naam is unchayi par pahunchaya hai ki wo simar utha kar samajh mai unke barey bol sake wahi ek bete ka yo ghar se chale Jane ka dukh wo aaj bhi apne kandhe par utha rahe hai
Aaj ek Baap ki life ka sabse ahem din jo wo apni beti ki sagai kara raha hai ye to har pita ke liye bohut khushi ka mauka hota.
Aur anand ji apni beti is kabil bhi banaya hai ki wo apne agey ki zindagi ache se guzar sake.
And ek kadwa sach bhi samne hai dahej ka chahe ladki us ladke se lakh gona achi hi kyu na ho but uske ghar walk ko dahej dena hi padhta sirf isliye hi kyunki wo ladki ke mata pita hai.
Overall top notch update with such a great writing skills
BRAVO 🙌
 
Respect All, Trust few!!!
Councillor
6,592
2,774
143
Khubsurat bas yahi nikla apne Maan se is update ko padhkar Mahi Maurya ji
Jis tarah se apni sab ki feelings ko dikhaya Abhishek ke jane Baad wo Lajawab hai
Pora pariwar hi dhuki hai ek Abhishek ke jane par kehta hai zindagi ka ek niyam ke hume iske sath chalte jana chahe hume manzoor ho ya na ho
Jaha anand ji ki dono hi betiyon ne unka Naam is unchayi par pahunchaya hai ki wo simar utha kar samajh mai unke barey bol sake wahi ek bete ka yo ghar se chale Jane ka dukh wo aaj bhi apne kandhe par utha rahe hai
Aaj ek Baap ki life ka sabse ahem din jo wo apni beti ki sagai kara raha hai ye to har pita ke liye bohut khushi ka mauka hota.
Aur anand ji apni beti is kabil bhi banaya hai ki wo apne agey ki zindagi ache se guzar sake.
And ek kadwa sach bhi samne hai dahej ka chahe ladki us ladke se lakh gona achi hi kyu na ho but uske ghar walk ko dahej dena hi padhta sirf isliye hi kyunki wo ladki ke mata pita hai.
Overall top notch update with such a great writing skills
BRAVO 🙌
:clap2: for rebo
 

Top