Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Agar bache aye to wo is kahani mai chirag aur arshi hi hoge na? 😁
अब उनके लिए तो अलग से इसका दूसरा भाग लिखना पड़ेगा।
क्योंकि इस कहानी में तो केवल इनकी शादी होगी। अगली कहानी में बच्चे।😄😂🤣
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 21


Sarita bhi apne kamre ma jakar so gayi. Subah uthakar har kam se finish hokar nashta karke Sarita PS pahuch gayi. Waha par Sarita ne dekha ki Mohit aur Javed kisi baat ko lekar gahan vichar vimarsh kar rahe the. Jab Sarita Unke paas pahuchi to wo dono chup ho gaye. Sarita ko dekhte hi dono ne ek sath Sarita se kaha.


Mohit & Javed- Good Morning Madam.

Sarita- Very good morning both of You. Aaj to mera din hi ban gayaa jo dono ke subah subah ek sath mein darshan ho gaye. Kya baat hai dono bahut gahri mantrana kar rahe the. Lagta hai kisi mahatvapurna Mudde par charcha ho rahi thi, isliye mujhe dekhte hi dono chup ho gaye.

Mohit- Nahi madam aisi koi baat nahi hai main to bas aise hi javed ke sath bat cheet kar raha tha.

Sarita- Achha thik hai. Main apne cabin me jati hoon. Tum logo ki charcha agar samapt ho gayi ho to tum dono bhi apne kam par dhyan do.

Javed- Ji madam.


Itna kahkar sarita Apne cabin me chali gayi. Sarita ne Kaushal ko apne cabin me bulakar use samjha diya ki jab Mohit akela ho to use inform kare. Dopahar ko Javed ko kisi ka phone aaya to wo PS se bahar chala gaya. Kaushal ne Sarita ko inform kar diya ki Mohit akela hai to Sarita ne mohit ko apne cabin me bulaya. Mohit Sarita ke cabin me gaya Sarita ne use baithne ka ishara kiya, Mohit Ek kursi par baith gaya aur bola.


Mohit- JI madam aapne bulaya mujhe.

Sarita- Haan mohit ji mujhe tumse kuchh bat karni hai.

Mohit- Ji madam kahiye.

Sarita- Dekhiye mohit ji. Javed ne mujhe sabkuchh bata diya hai. To ab main chahti hoon ki aap bhi mujhse koi baat na chhupaye aur sach sach bataye.

Mohit- (hadbadate huwe) Kaun si baat Madam, Mujhe to kuchh pata hi nahi hai. Aap kya baat kar rahi hain.

Sarita- Dekhiye Mohit ji. Main apne case ke bare me aapse baat kar rahi hoon. Mujhe ye to pata chal chuka hai ki budhi dadi ko aapke sir ne kaha chhupakar rakha hai. Iske baare me Javed ne kal mujhe sabkuchh bata diya hai. Kal aap aaye nahi the, isliye aapko iske baare me kuchh pata nahi hai.

Mohit- (Chaunk kar) Kyaa… Javed ne aapko sabkuchh bata diya. Vishwas nahi hota. Lekin usne to mujhe is bare me kuchh nahi bataya.

Sarita- Kyonki maine hi use mana kiya tha ki main tumse khud is bare me baat karungi wo tumhe kuchh bhi na bataye. Ab agar aapne mujhse kuchh bhi chhipane ki koshish ki to main DSP Sir ko bol dungi ki aap logo ne mujhe mere case se sambandhit sari information de di hai.

Mohit- Kyaa. Ye kya kah rahi hain aap madam. Aap mujhe bich me kyon la rahi hai. Aapko bataya to us javed ne hai to mera nam kyon Sir ko bataengi aap.

Sarita- To isiliye main aapse pooch rahi hoon ki aakhir mere case solve kaise huwa. Aur wo buddhi dadi mili kahan Sir ko. Javed ko to main bacha lungi, kyonki uska nam main lungi hi nahi sir ke samne. Bache aap. To aap apne bare me khud soch lijiye. Ki agar sir ko pata chala ki aapne mujhe sab bataya hai to wo aapka kya hal karenge.

Mohit- Lekin ye to galat hai madam. Aap javed ki sabhi galat ka thikra mere sir kyon fodna chahti hain.

Sarita- Sahi galat ka mujhe kuchh nahi pata mohit ji. Agar aapne mere sath co-oprate kiya to main Sir ko kuchh nahi bataungi. Is tarah ye baat ham tino ke bich me hi rahegi. Ab batao Sachhai kya hai.

Mohit- Thik hai Madam main batata hoon aapko. In sab ke pichhe bacha Singh ka hath tha. Usi na sabkuch kiya tha. Aapne aadmiyon se apki khilaf rishwat ki false complain darz karwai. Usme jo bhi pata aur naam tha. Usme kuchh pate hi galat the. Aur jo pate sahi the waha par complain karne wale naam ka koi aadmi nahi mila.

Sarita- Bachha singh. Achha haan Javed ne mujhe bataya tha ki in sabke pichhe bacha singh ka hath hai. Usi ne mujhe fansane ke liye ye sab kiya hai, lekin mujhe ye samajh me nahi aa raha hai ki usne mujhe jhoothe case me kyon fansana chaha.

Mohit- Wo kya hai madam ki aapki wajah se uske kam me bahut nuksan ho raha tha. Usne do baar aapko do-do lakh Rupaye dene ki koshish ki thi lekin aapne wo rupaye uske munh par maar diye the. Isliye wo aapse bhinnaya huwa tha aur aapko apne raste se hatana chahta tha. Taki uska karobar fir se pahle jaisa chalne lage.


Wo yaha ka bahut bada gunda hai. Apne karobar ke bich me aane wale kisi bhi insan ko apne raste se hatane ke liye wo kisi bhi had tak ja sakta hai. Sabhi usase darte hain. Isliye Sir nahi chahte the ki aap is sab pachdo me pado. Jaisa ki maine abhi bataya ki wo apne kam me rukawat ban-ne wale ko apne raste se hatane ke liye kisi bhi had tak ja sakta hai. Khoon kharaba uske liye nayi baat nahi hai. Isliye Sir nahi chahte the ki aapki jaan ko koi Khatra ho. Isliye Unhone Kaha hai ki wo Khud hi ye case handle karnege. Aur aapko batane ke liye Sakhti se mana kiya tha.


Mohit ne ye sari baate ek hi sans me jaldi jaldi bata di. Jise dunkar Sarita kuchh der sochti rahi fir Mohit se boli.


Sarita- Achha Mohit ji. To kya dadi bhi Bachha singh ke paas hi hai abhi bhi.

Mohit- Nahi Madam, Use to Sir ne Yaha se Kuchh hi doori par Ek kamre me chhupa kar rakha huwa hai. Kyonki unhe bahut sare logo se bacha kar rakhna hai aage ki Investigation ke liye.

Sarita- ( bholepan ke sath) Kisase bachakar rakhna hai ab dadi ko. Ab to case solve ho chuka hai.

Mohit- dadi ko bacha singh se bachakar rakhna hai aur aapse bhi.

Sarita (Hairani se) Kya Mujhse. Lekin mujhse kyon. Bachha singh ka to samajh me aata hai, ki kahi wo dadi ko koi nuksan na pahucha de, lekin mujhse kyon. Main to unhe koi nuksan nahi pahuchaungi.

Mohit- Kyoki sir nahi chahte ki aapki jaan ko khatra ho, kyonki Agar aapko pata chal jata ki dadi kaha hai to ab tak aap fir Investigation karne baith jati. Jo Sir nahi chahte the.

Sarita- Aur Sir na Jahan par dadi ko chhupakar rakha hua hai wo uska address kya hai.

Mohit- Yahan se aage jane par agle chawk se left lekar 1 K.M. aage ………………….. is Address par Sir ne dadi ko rakha hai.

Sarita- Ohhh. Thank You Mohit ji. Aapne bhi wahi bataya jo Mujhe javed ne bataya tha.

Mohit- Isme thanks ki kya baat hai madam. Ye to mere farz hai, lekin ek baat mujhe samajh me nahi aayi ki jab javed ne aapko sabkuchh bata diya tha to aapne wahi baat mujhse kyon jan-na chahi.

Sarita- Main ye dekhna chahti thi ki Javed ne mujhko kitna sahi aur kitna galat bataya hai, lekin tumhari baate sun-ne ke baad to ye confirm ho gaya ki javed ne poori bate sach hi batai thi. Ab tum jao aur apna kam karo.


Mohit Sarita ke cabin se bahar aa gaya. Thodi der baad jab javed PS wapas aaya to Mohit uspar bhadak gaya aur bola.


Mohit- Tumhare pas dimag hai ya nahi. Kya jaroorat thi tujhe madam ko sab kuchh batane ki.

Javed- (Sochte huwe) Are bhai maine kya bataya madam ko jo tu mere upar bhadak raha hai.

Mohit- Bhadku nahi to aur kya karu. Tune case ke bare me madam ko kyon bataya.

Javed- (sochte huwe) Are bhai kis case ki baat kar raha hai jiske bare me madam ko maine bataya hai.

Mohit- Madam wale Rishwat ke case ki baat kar raha hoon main.

Javed- Maine unhe kuchh nahi bataya.

Mohit- Dekho Javed ab jhooth bolne se koi fayada nahi hai. Mujhe madam ne sabkuchhh bata diya hai ki tumne unhe case ke bare me sabkuchh bata diya hai.

Javed- Are mere bhai. Maine madam ko kuchh nahi bataya. Kal jab tu nahi aaya tha to madam ne mujhe apne cabin me bulaya tha case ke bare me poochne ke liye, lekin maine ek bhi information madam ko nahi di. Kyonki Sir ne Madam ko kuchh bhi batane ke liye mana kiya hai.

Mohit- Ye kya baat kar raha hai bhai tu. Madam ne hi to mujhse kaha ki tumne unhe ek ek baat sach sach bata di hai.

Javed- (Chaukte huwe) Ek minute… Kahi tumne to madam ko sari bate nahi bata di hai.

Mohit- (afsos ke sath) Yaar mujhse bahut badi galti ho gayi hai. Main itna bada bevkoof kaise ho sakta hoon. Mujhe sochna chahiye tha ki madam ko agar tumne sabkuchh bata diya hota to madam ab tak investigate mein lag gayi hoti. Ohhhhh siittt yaar. Maine itni badi galti kaise kar di. Madam ne mujhe apni bato me fansakar sara sach ugalwa liya. Aur main ugalta chala gaya.

Javed- (Tez Aawaz me) Kyaaaa. Tune itni badi galti kaise kar di bhaiii. Kam se kam ek baar mujhse puchhh to liya hota.

Mohit- Tu bahar gaya tha PS se. tabhi madam ne mujhe bulaya tha.

Javed- Ohhhhh. Ab to gaye kaam se. Mujhe ab Samajh me aaya. Waise man-na padega madam ke dimag ko. Kaise unhone tumhe convince kar liya apni bato me aur tumse jhooth bola ki maine unhe sabkuchh sach bata diya hai. Taki tum unhe sabkuchh sach sach bata do. Isliye Unhone tumhe Us samay bulaya jab main PS me nahi tha. Taki Tum Mujhse pooch bhi na sako iske bare me.


Javed ki baar sunkar mohit apna Sir pakadkar baith gaya aur bola.


Mohit- Are yaar ye kya ho gaya. Main itna bada bevkoof kaise ho sakta hoon. Mujhe ek baar madam se poochna to chahiye tha ki Javed ne aapko kya bataya hai. Siiitttt yaaarrr.

Javed- Sahi kaha. Agar maine unhe sach me kuchh bataya hota to wo tumse poochhti hi nahi aur agar poochhti bhi to mere samne tumse poochti. Madam to bahut chalak nikli.

Mohit- Ab kya kare yaar. Agar Sir ko is baat ka pata chal gaya ki maine Madam ko sabkuchh bata diya hai to wo mujhe chhodenge nahi.

Javed- Ab jab Okhli me mundi dal hi di hai to musal se kyon dar raha hai. Ab kuchh bhi nahi ho sakta. Dekhte hain aage kya hota hai.


Mohit ko apni bevkoofi par itna gussa aa raha tha ki unsne apna hanth table par de mara.

**********

Usi vakt Shahar se door Usi khandhar numa makan me jaha par Bachha ka adda tha. Bachha, Kaluwa ke sath baith kar baate kar raha tha. Uske sath Raka aur Sambhu bhi the.


Kaluwa- I ham ka sun rahe hain Bachha bhai. U laundiya Fir se Naukari par aa gayi hai.

Bachha- Haan Sahi sune ho tum. Usne fir se naukari join kar li hai.

Kaluwa- Lekin bhai. Aapne to Oke Rishwat ke jhoothe case me fansa diya tha. Aur U pardhanva ne oke Range hantho pakad liya tha. Fir Ei kaise hoi gawa.

Bachha- Pata nahi ye kaise ho gaya Kaluwa. Lekin Suna hai ki Uske yaarr Us DSP ne Use begunah Sabit kar diya. Lekin ye samajh me nahi aa raha hai ki usne Us laundiya ko begunah sabit kiya to kaise kiya.

Raka- (bich me) Mai baap- wo DSP Us laundiya ka yaar nahi hai. U dono jani dushman hain. Dono ki bilkul bhi nahi banti. To wo DSP us laundiya ko kyon begunah sabit karega.

Bachha- Achha. Tujhe kaise pata ki U DSP Laundiya ka yaar nahi hai.

Raka- Maai baap. Police thana me thodi bahut jaan pahchan hamari bhi hai. To hamka is bare me thodi bahut jankari mil gayi ki Un dono me bilkul bhi nahi banti.

Bachha- Achha. Fir usne Kyon bachaya Us Ladki ko.

Sambhu- Kyon nahi bacha sakta hain wo DSP Us ladki ko malik. Bale dono me kitni bhi dushmni ho lekin apne dusman ko sikast khud ke hantho se dene ka maza hi kuchh aur hota hai. Shayad yahi sochkar Us DSP ne Use bacha liya hoga.

Kaluwa- Haan be. Tohre E baat me bam baa. Jaroor Yahi baat hogi.

Bachha- Lekin Usne begunah sabit kaise kiya. Kahi aisa to nahi hai ki wo budhiya us DSP ke hanth lag gayi ho aur usne sab sach ugal diya ho. Agar us budhiya ne aisa kiya hoga to wo bahut pachhtayegi. Sambhu. Pata kar ki wo budhiya kaha par hai wo jaha bhi mile use lekar mere paas aa.

Kaluwa- Chalo E sab to hota rahega bhai, lekin ab E batava ki Ab aage kya karna hai. U nayi Inspetarain bahut Sakht jaan ba. Agar jaldi okre ke apne raste se na hatawa gaya to apna karobar to band hi samjho.

Bachha- Aaisa kuchho nahi hoga Kaluwa. Main koi na koi rasta nikal lunga. Maine to socha tha ki khoon kharaba se koi matalab nahi nikalega. Khoon kharaba to aakhiri upay hai, isliye maine mamla is tarah suljhane ki koshish ki thi, lekin lagta hai ki us laundiya ki Zindagi ke din khatam ho chuke hain. Uska bandobast karna hi padega. Lekin Abhi hamko Sarkar aur Boss ne kuchh din shant Rahne ke liye kaha hai, Isliye abhi kuchh din kuchhh hone se rha aur Sath me abhi Raghu bhi bahar hai. Ab jo bhi karega Raghu hi karega. Bahut din ho gaya hai bhaai ko kisi ka murdar kiye huwe. Us ladki ki maut Raghu bhai ke hi hantho hogi.

Kaluwa- Sahi kaha bhai. Raghu bhai bahut berahami se marte hain. Bahut maza aayega.


Itna kahkar kaluwa hansne lagta hai uske sath sath Bachha, Raka aur Shambhu bhi hansne lagte hain.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Wah kya safai se sarita ne sara sach ugwa liya mohit ke moh se aur wo bechara uski baton mai akar sab kuch bak bhi diya
But yaha main point jo hai mohit ki story ke according wo ye ki nischal nahi chahta hai ki sarita in sab mai khud involve ho ab dekhte hai ki kya sarita is point ke barey kya sochti hai.
Chalo kuch din to kalua and bacha ye log chain se baithenge but ye raghu ka intezar kar rahe hai dekhte hai akhir ye raghu hai konsi top
Overall good update
BRAVO 🙌
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Nishchal ko uski galti ka ahsaas ho gaya hai ab wo sab theek kar dega.. wonderful update dost
धन्यवाद आपका महोदय।।
होना तो यही चाहिए, देखते हैं क्या होता है।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Aree wo mujhe biche mai covid ho gaya tha , iss liye forum par active nahi thi siso
थोड़ा बच के रहिएगा।
तीसरी लहर आ चुकी है। सब राम भरोसे है अब।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Ye pata nahi nischal aur sarita kab ek normal mulakat hogi bechara ab tak char ya baar mila sarita jisme se teen baar uska Swagat thappad se hi kiya hai sarita ne
Aur kuch na mila to ye dono gaano ko lekar Tom and Jerry jaise ladne lage.
Savita ji kuch zyada hi enjoy kar rahi hai in dono ki is ladai ko pata nahi unke Maan mai kya chal raha hai.
Overall Masti bhara update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।।
जब तक दोनों को एक दूसरे के प्यार का एहसास नहीं हो जाता, तब तक ये ऐसे ही लड़ते रहेंगे।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Wah kya safai se sarita ne sara sach ugwa liya mohit ke moh se aur wo bechara uski baton mai akar sab kuch bak bhi diya
But yaha main point jo hai mohit ki story ke according wo ye ki nischal nahi chahta hai ki sarita in sab mai khud involve ho ab dekhte hai ki kya sarita is point ke barey kya sochti hai.
Chalo kuch din to kalua and bacha ye log chain se baithenge but ye raghu ka intezar kar rahe hai dekhte hai akhir ye raghu hai konsi top
Overall good update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।।

सरिता चुप बैठने वालों में से नहीं है। अब वो दादी का पता लगाने की पूरी कोशिश करेगी।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 45


Sarita- Ye kya badtamizi hai. main aapko maaf nahi karungi iske liye.


Itna kahkar SArita apne kamre se bahar aa jati hai aur Nishchal wahi khada use jate huwe dekhta rahta hai.


Sarita jab niche hall me dekhti hai to waha par koi nahi tha. ye dekhkar Sarita Savita ke kamre me chali jati hai. usne dekha ki SAvita abhi bhi apne bister par leti hui thi. Sarita ne dhire se pukara.


Sarita- Di.

Savi- (chaunk kar) Haann… kaun hai.

Sarita- Main hoon di… Aapne khana khaya.

Savi- Nahi Sarita. main tumhara hi intezar kar rahi thi.

Sarita- Chaliye di fir kuchh kha lijiye. aise bhukhe mat rahiye.


Sarita ye bolkar Savita ko apne sath niche le jane lagti hai. jab dono waha pahuchati hain to Nishchal waha par pahle se hi baitha huwa tha. dono waha baith gayi aur khana khane lagi. khana khate huwe Savi to thoda bahut dono se baat kar rahi thi, lekin Sarita chupchap baith kar khana kha rahi thi. Sarita shant hokar khana kha rahi thi ye baat Nishchal ko bilkul bhi achhi nahi lag rahi thi.


Use to wahi chahakati hui Sarita achhi lagti thi jo baat baat par uspar gussa karti thi. Nishchal ne ye dekhkar do-tin baar baat karne ki koshish bhi ki, lekin Sarita ne haan hoon me jawab dekar baat khatam kar di. ye dekhkar Nishchal ne bhi abhi baat karna munasib nahi samjha aur khana khakar apne kamre me chala gaya.


Sarita aur Savita khana khane ke baad kuchh der wahi baithi rahi aur baat karti rahi. Savita thoda udas thi to Sarita ne kaha.


Sarita- Di aap aise udas bilkul bhi achhi nahi lagti. mujhe to meri pahle wali di chahiye jo hamesha hansti muskurati rahti thi.

Savi- Abhi mujhe thoda sir me dard hai. kal subah tumhe tumhari wahi di milegi.

Sarita- (pareshan hokar) Aapke sir me dard hai aur aapne mujhe bataya bhi nahi, ye sab us hitlar ke karan huwa hai. na wo aap par chillate. na aap roti aur na hi aapka sir dard hota, laiye main aapka sir daba deti hoon.

Savi- Hitlar… Waise achha nam hai. tum lady don aur wo hitlar. mera sir dabane ka rahne do. main abhi dava kha lungi to raat bhar me thik ho jayega.

Sarita- aap dawa bhi kha lijiyega, lekin main aapka sir bhi daba dungi to aapko jaldi aaram aayega aur aapko jaldi neend bhi aayegi.


Savita Sarita ko baar baar mana karti rahi lekin Sarita nahi mani aur apni chair se uthkar Savita ki chair ke piche jakar khadi ho gayi aur Savit ka sir dabane lagi. Savita ne bhi ab jyada na nukur nahi ki aur Sarita ko sir dabane di.


Udhar nishchal apne kamre me baitha huwa kuchh soch raha tha tabhi use dhyan aaya ki Savita ka sir dard kar raha tha jiske bare me wo Savita se puchna hi bhool gaya.


Ye khyal aate hi wo apne kamre se bahar nikalkar Savita ke kamre ki taraf jane laga. tabhi uski najar niche dining table par gayi to usne dekha ki Sarita baat karte huwe Savita ka sir daba rahi hai aur Savita aankh band karke chair ki pust par sir tikaye baithi hai. ye dekhkar Nishchal ke chehre par muskan aa gayi aur wo man hi man apne aapse bola.


Nishchal- (man me) Is ladki ka rang hi samajh me nahi aata. pal me sona aur pal me masa. abhi thodi der pahle mujhse kitna naraz thi, lekin di ke sath to aise baat kar rahi hai jaise kuchh huwa hi nahi. dono me kitna pyaar hai. Sarita di ko kitna samajhti hai. kash ye mujhe bhi aise hi samajhti. Lekin kya main di ko aaj tk samajh payaa. Kahin main kuchh galat to nahin kar raha di ke sath.


Ye aakhiri line sochkar Nishchal ke chehre par hansi aur dukh ka milajula bhaav aa gaya aur usne apne hanth ko apne sir par mara aur bathroom chala gaya. Thodi der sir dabwane ke baad Savita ne kaha.


Savi- Ab bas karo Sarita. Chalo ab sone chalte hain. kal tumhe PS bhi to jana hai.


Uske baad dono apne apne kamre me sone ke liye chale jate hain. Sarita subah roj ki tarah uthi aur niche chali gayi. use fir se gatekeeper ne guldasta lakar diya. jisme wahi likha tha jo pichhle do dino se likha huwa aa raha tha.


Sarita pareshan ho gayi aur usne guldaste ko dustbin me dal diya. Sarita jaldi naha dhokar nashta karke PS ke liye nikal gayi. Savita ko NGO jana tha to wo jaldi se taiyar hokar NGO ke liye nikal gayi.


Nishchal der raat tak kal jo bhi huwa tha usi ke bare me soch raha tha. Sarita aur Savita dono usi ki wajah se gussa thi. yahi sochte huwe Use der raat neend aayi isliye wo Sarita aur Savita ke jane ke baad utha.


Wo jaldi se nahadhokaar taiyar huwa aur niche jakar nashta kiya aur ghar se nikalne laga to use Sarita ki baat yaad aayi jab wo packing kar rahi thi. pata nahi kya sochkar Nishchal ghar ke andar aaya aur Sarita ke kamre ki taraf chala gaya. Sarita ke kamre ke bahar pahucha to usne dekha ki kamre me tala latak raha hai jise dekhkar wah chaunk gaya aur sochne laga.


Nishchal- (man me) Are yaar lagta hai ye chali gayi. galti bhi meri hi hai maine use kitna kuchh suna diya tha. wo bahut jiddi hai dobara yaha aane ke liye manegi bhi nahi. main didi se bhi nahi pooch sakta. didi se poocha to wo ulta mujhe hi sunane lagengi.

Naukaro se poochu kya. Nahi rahne deta hoon unhe kya pata hoga iske bare me. Mujhe turant PS jana hoga aur Sarita se baat karni hogi aur use wapas aane ke liye manana hoga.


Yahi sab sochkar Nishchal jaldi se ghar ke bahar aaya aur Sarita se milne ke liye PS chala gaya.



******

Idhar Raghu apne khas pantar Heera ke sath baitha huwa gappe maar raha tha. gappe marte marte Heera ne Raghu se kaha.


Heera- Raghu bhaai. ek baat poochu aap naraz to nahi honge.

Raghu- Are nahi be. pooch kya poochna hai tujhe.

Heera- bhai. main pichhle kai dino se dekh raha hoon ki aap us inspectorani ko guldasta bhejte ho. aapko guldasta bhejkar kya milta hai. Uspar sala aap apna naam likho tab to samajh me aata hai. bina naam ke khali phokat.

Ek bahadur aur Janbaj Police Officer ko is nachhez ki or se tuchchh si Bhent. Aapka Sabse bada Fan aur Shubhchintak. likhkar bhej dete ho. are apna naam likho tab to us inspectorani ko pata chale ki wo aapne bheja hai.

Raghu- Tumhe nahi pata heera. agar naam likhkar bhejenge to wo uski taraf dekhegi bhi nahin.

Heera- Wahi to main kah raha hoon. ki jab aapko lagta hai ki aap naam likhkar denge to wo us taraf dekhegi hi nahi to aap guldasta bhejte hi kyon hain.

Raghu- tum nahi samjhoge be. kuchh alag hi mamla hai ye. ab tum hamare itne khas ho to ham tumhe bata dete hain. tumhare bhaai ka dil aa gaya hai us inspectorani par.

Heera- (khushi se uchhalte huwe) Kyaa baat kar rahe hain bhaai.

Raghu- Main sahi kah raha hoon be. Dekh agar main use naam likhkar bhejunga to wo ek din dekhegi aur uske baad mere guldaste ko doobara nahi dekhegi, kyonki use pata rahega ki koi raghu naam ke aadmi ne gulasta bheja hai.

abhi main uspar apna nam nahi likh raha hoon to uske man mein bhi ye baat rahegi ki aakhir use guldasta bhejne wala aadmi hai kaun. isi baat ko jan-ne ke liye wo roj mera guldasta uthakar dekhegi ki shayad aaj mera naam us guldaste me likha huwa mil jaye. Samjhe ki nahi .

Heera- Wahh bhaai. kya dimag lagaya hai aapne.

Raghu- Tum kya samajhte ho. dimag in police walo ke paas hi hota hai kya.

Heera- Wo to thik hai bhai lekin aapko pata hai ki agar Bachha bhaai ko iske bare mein pata chal gaya to fir kya hoga.

Raghu- Unko kaun batayega. main to batane se raha. tum bataoge nahi to unhe pata kaise chalega. abhi to kisi tarah se bahana banakar unko samjhaye huwe hain. lekin main jyada din bhaiya se jhooth nahi bol sakta. mujhe kuchh bhi karke Sarita ko yaha se hatana hoga. mera matlab hai ki uska tabadla karwana hoga yaha se. nahi to uski jaan ko yaha par khatra hai.

Raghu ki baat sunkar Heera jor jor se hansne lagta hai. Use hansta dekh Raghu chidhte huwe usase poochta hai.

Raghu- Ab tum kyon kees baa rahe ho. maine koi joks mara hai kya.

Heera- Ye kisi joks se kam thode hi hai. Aap uska tabadla karwayenge. Aap to aise bol rahe hain jaise aap hi yaha ke aala adhikari ho aur ek hi phone ghumakar uska tabadla karwa denge.

Raghu- Abe tu Uska mat bol. wo teri bhabhi hain to main use Use bolunga aur tu use bhabhi bolna. Samjha ki nahi.

Heera- Haan bhaai samajh gaya. to aap bhabhi ka tabadla kaise karwayenge.

Raghu- (kuchh sochte huwe) Haan bhaiya ne Kisi neta ka naam bataya tha us din. Usi se baat karke dekhte hain. agar wo tumhari bhabhi ka tabadla nahi karwa paya to fir mujhe hi kuchh rasta nikalna padega. main kuchh bhi karunga uske liye lekin use kuchh hone nahi doonga.

Heera- Kya bhaai. lagta hai aap uske pichhe, mera matlab hai bhabhi ke pichhe pagla gaye ho. ek baar aap aur soch lijiye kyonki aap jo kam karne ja rahe hain agar uski thodi bhi bhanak Boss aur Sarkar ko mil gayi to wo bhabhi ji ke sath sath aap ko bhi Nuksan pahucha sakte hain. upar se Bachha bhaiya ka bhi dar bana huwa hai.

Raghu- Kuchh nahi hoga use. main use kuchh hone bhi nahi doonga. jo bhi uski taraf aankh uthakar dekhega main uski aankhe nikal loonga. bas kuchh din ki hi to baat hai uske baad wo sirf meri hogi.

Heera- Jab aap usase itna pyaar karte hain to Itna taam jhaam karne ki jaroorat kya hai. gadi lekar chalte hain aur use jabardasti utha late hain.

Raghu- (Gusse mein) ye kya baat kar raha hai tu. main Isase to wo mujhe kabhi nahi milegi. main jo kuchh karunga uski marzi se karunga iske liye main koi jaldbazi nahi karna chahta.

Heera- aap jis raste par chal rahe hain us raste par chalkar jaroori nahi ki aapko aapki manjil mile hi. meri baat maniye to aap samne se jakar hi bhabhi ji ko guldasta de dijiye. kam se kam bhabhi ji us aadmi se to mil lengi jo unhe deewano ki tarah pyaar karta hai.

Raghu- Nahi be. main abhi aisa nahi kar sakta. Abhi agar main uske samne apni asali pahchan lekar gaya to wo mujhse baat karna to door mujhe dekhna bhi pasand nahi karegi, kyonki abhi uske man me mere liye pyaar hoga hi nahi to ho sakta hai ki wo mujhe pakadkar jail me dal de.

pata chala ki ham uske prem me giraftaar hone se pahle hi giraftar kar liye jaye. pahle main aise hi bina nam ka guldasta bhejkar uske dil me us anjan ke liye pyaar jagana hai aur itna pyaar jagana hai ki jab ham usko bataye ki usko jo roj guldasta bhejta tha wo ham hi hain to wo khushi khushi meri baho me chali aaye, kyonki fir to wo dil ke hantho majboor ho jayegi.

aur jaisa ki bhaiya ne bataya hai ki wo khoobsurat hone ke sath sath chalak, dimakdar aur shatir bhi hai. waise to mujhe kisi ne dekha nahi hai, lekin ho sakta hai ki isne apne shatir dimag ka istemal karke mere bare me bhi jankar juta li ho. aisi sthiti me direct uske samna jana khatre se khali nahi hai. jab wo mere pyaar me giraftar ho jayegi tab uske samne jane par koi khatra nahi hoga mere liye.


Heera- Wahhh bhaiyaa ji kya dimag paya hai aapne. isiliye main aapka shagird hoon. Lekin bhaai aapko pata kaise chalega ki bhabhi bhi aapse pyaar karne lagi hain.

Raghu- Wo bas tum dekhte jao ki main use kaise apne pyaar mein pagal karta hoon. wait and watch.

Heera- Kisi ne sahi kaha hai. Pyaar kisi se kya na karwa le. sher ko bhi gidad bana deta hai pyaar. kahaa aap wo raghu bhaai the. jiske naam se log thar thar kanpte the. jo cheej chahiye hoti thi uske liye itna sochna nahi padta tha.

jabardasti hasil kar lete the. jo ek baar kisi kaam ko apne hanth me le leta tha to jald se jald khatam karke hi dam leta tha. kisi ka murder karna jiske liye baye hath ka khel tha. isi liye bachha bhaai bhi aapko kitna mante the. lekin aaj ek ladki ne aapko nikamma bana diya bhaai.

babbar sher ko bhigi billi bana diya bhabhi ne. aapka ye roop bhi ho sakta hai maine to kabhi socha bhi nahi tha. ek baat aur bolna tha bhaai. Wo CO hai na suna hai aajkal wo bhabhi ke kareeb rahta hai. Hamesha unke aage pichhe mandrata rahta hai. Kanhi wo bhabhi se pyaar to nahi karta .


Heera ki baat sunkar Raghu kuchh nahi bolta bas ek kamini hansi muskura deta hai aur apni jagah se uthkar us neta se milne ke liye chala jata hai.



*****

Subah Sarita jab PS pahuchti hai to waha Janhavi ki table par guldasta rakha huwa tha. Sarita ko dekhte hi janhavi selute karti hai aur muskurane lagti hai to SArita ne kaha.


Sarita- Aaj mat kahna ki ye guldasta mere liye hai.

Janhavi- Ofcource aapke liye hi hai madam.

Sarita- Kya yaar. is aadmi ne to mera dimag kharab kar diya hai. Subah ghar par bhejta hai aur Yaha PS me bhi bhejta hai. aakhir ye aadmi hai kaun.

Janhavi- Kya baat kar rahi hain madam. ghar par bhi guldata bhejta hai ye aadmi.

Sarita- Haan yaar. main to pareshan ho gayi hoon.

Janhavi- Kya baat kar rahi hain madam. lagta hai aapka koi chahne wala hai jo aapse aakar milne se dar raha hai. tabhi to apni baat guldaste ke jariye aap tak pahucha raha hai.

Sarita- (muskurakar) Kuchh bhi mat bolo tum. jis din samne aaya na to dant tod dungi uska main.

Janhavi- Isiliye to wo samne nahi aa raha hai. kyonki wo janta hai ki aap uska dant tod dengi.


Janhavi ki baat sunkar Sarita hansne lagi. Janhavi bhi sarita ke sath hansne lagi. thodi der baad sarita ne kaha.


Sarita- Is guldaste ko dustbin me dalo aur apna kam karo. jald hi main iska pata lagaungi ki ye harkat kaun kar raha hai.


Itna kahkar Sarita Apne cabin me chali jati hai. thodi der file par kaam karne ke baad Use Rawat Sir ka phone aata hai jinhone Sarita ko apne chambar me bulaya. Sarita Rawat Sir ke cabin me chali jati hai. Sarita ke jane ke baad Nishchal PS me aata hai aur Sidhe Sarita ke cabin me chala jata hai. Sarita ko waha na pakar wo Janhavi ke paas aata hai aur kahta hai.


Nishchal- Miss Joshi kaha par hain.

Janhavi- Jai hind Sir. madam Rawat Sir ke paas gayi hain.
Nishchal- thik hai.


Itna bolkar Nishchal fir se Sarita ke cabin me chala jata hai aur Sarita ka wait karne lagta hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Top