Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Member
324
1,026
93
UPDATE- 22


Ab jabki Sarita ko pata chal gaya tha ki buddhi dadi ko Nishchal ne kaha chhupa kar rakha hai to wo jald se jald dadi se milna chahti thi. lekin wo soch rahi thi ki waha tak pahucha kaise jaye. Agar Nishchal ne dadi ko waha rakha hai to wo ghar gopniy hoga bachha aur uske gurgo ki najar me. Aur us ghar ki suraksha bhi tagdi hogi. Sarita ye sab soch rahi thi ki uske dimag me aaya ki ek bar Savita se mil liya jaye to ho sakta hai ki isme wo kuchh madad kar paye.


Idhar mohit apni bevkoofi ke karan pareshan tha. Uska munh kuchh latka huwa tha. Janhavi bahut der se Mohit ko observe kar rahi thi. jab usase na raha gaya to usne Mohit se pooch liya.


Janhavi- Mohit Sir. Kya huwa Aap bahut pareshan lag rahe hain. Koi samasya hai kya Sir.

Mohit- Nahi Janhavi aisi to koi baat nahi hai.


Vikas unke paas hi baitha tha. Mohit ki baat sunkar wo maza lete hue bola.


Vikas- Tumhe nahi pata kya. Sir ki shadi fix ho gayi hai. To wo apni hone wali Dulhan ke khayalo me khoye huwe hain. Kyon Mohit Sahi kaha na.

Janhavi- Are waah. Ye to bahut Khushi ki baat hai aur aap munh latkaye huwe hain. Aap to bade kanjus nikle sir. Itni badi Khushi ki baat hai aur aapne ise sukha sukha jane diya. Ham logo ko mithai bhi nahi khilayi aapne.

Mohit- (apne man me) Yaha abhi Sir meri Chatni banane wale hain aur tum sab ko mithai ki padi hui hai. Thodi der ruk jao. Jab meri chatni ban jayegi to mithai samajhkar kha lena.

Vikas- Nahi janhavi. Sir to lagta hai direct shadi me rasgulla hi khilayenge.

Mohit- (baat ko badalte huwe) Achha ye batao DSP Sir Aayenge aaj ya nahi.

Janhavi- ye kya baat hui sir. Aap baat kyon badal rahe hain. Itni Khushi ki baat hai aur aap abhi bhi kaam ke pichhe pade huwe hain.

Javed- Tum Sab chinta mat karo. Tum logo ko mithai bhi milegi aur treat bhi milegi. Lekin wo DSP Sir ke hantho se milengi.


Javed ne ye baat Mohit ki or dekhkar muskurate huwe boli thi. jise sunkar Janhavi ne kaha.


Janhavi- DSP Sir kyon denge Treat. Shadi to Mohit sir ki fix hui hai aur treat DSP Sir denge. Ye baat kuchh samajh me nahi aayi.

Javed- Ab ye baat to tum Mohit se hi pooch.

Mohit- (Dhire se) Abhi ghar basa nahi mera aur barati pahle se hi aa gaye hain. (Javed ke kan me) Kyon mujhe heart attack dilwana chahta hai bhai. Dara mat mujhe nahi to mera upar ka ticket kat jayega.

Javed- (Tez aawaz me) Tumhara hi nahi. Tumhare baad mera bhi number lagne wala hai.

Vikas- Kis number ki baat kar rahe ho tum. Tumhara kaun sa number lagne wala hai.

Javed- Main promotion ki baat kar raha hoon. Mohit ke baad mera number lagne wala hai promotion me.


Javed itna bolkar muskurate huwe waha se chala gaya. Uske jane ke baad vikas ne mohit se kaha.


Vikas- ye kya bol kar gaya javed. Agar tum dono ka promotion hone wala hai to ye baat mujhe kyon pata nahi hai. Aakhir chakkar kya hai ye mohit.

Mohit- mujhe bhi is bare me kuchh nahi pata. Main abhi javed se poochkar aata hoon.


Itna kahkar mohit bhi waha se chala gaya. Vikas aur Janhavi dono kuchh sochte huwe mohit ko jata dekhte rahe. Mohit ke jane ke baad Vikash ne Janhavi se kaha.


Vikas- Janhavi. Mujhe to lag raha hai ki dono kuchh chhipa rahe hain hamse. Dono ka bartav kuchh ajeeb sa ho gaya hai. Tumhe kya lagta hai.

Janhavi- Haan Sir aap bilkul sahi kah rahe hain. Mujhe bhi dono ka behavior kuchh thik nahi lag raha hai. Roj se thoda hatkar dono bartav kar rahe hain.



Iske baad dono apne apne kam me lag gaye. Udhar cabin me Sarita baithi hui kuchh sochte huwe Savita ko phone laga diya.


Sarita- Hello di. kaisi hain aap.

Savi- main to bilkul thikk hoon. Tum batao tum kaisi ho.

Sarita- Main bhi bahut badhiya hoon di. bas ghar ki yaad aa rahi hai.

Savi- to ek kam karo. Mere paas aa jao.

Sarita- Nahi di. aise roj roj aapke ghar aana Achha nahi lagta. Log dekhenge to kya sochenge.

Savi- Logo ki chhodo. Mujhe di bhi bolti ho aur itni formalities bhi kar rahi ho. mujhe tumhari koi baat nahi sun-ni. Tum aa rahi ho matlab aa rahi ho.

Sarita- aisi baat nahi hai di. main to aana chahti hoon, lekin wo hit…… mera matlab hai ki Sir ghar par rahenge to main kaise aa paungi.

Savi- Achha ye baat hai. To aa jao. Nishu abhi ghar par nahi hai. Wo der raat tak lautega.

Sarita- Thik hai di main Sham ko 4 baje tak aati hoon.

Savi- Thik hai Sarita main intezar karungi tumhara. Agar tumhara kuchh khane ka man ho to mujhe bata do. Main banava dongi .

Sarita- Nahi di. Agar kuchh khane ka man huwa to main khud bana lungi aapke sath milkar.

Savi- Thik hai. Main Intezar karungi tumhara.

Sarita- Thik hai di. main sham 4 baje tak pahuch rahi hoon aapke paas.


Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. aur sochne lagi.


Sarita (man mein) Bas kuchh der aur uske baad main dadi ko khoj lungi aur sabkuchh pata laga lungi ki unhone mere sath aisa kyon kiya. Lekin mujhe ye kam Hitlar ki najro se bachkar karna hoga. Agar use bhanak bhi lagi iske bare me to wo dadi ko waha se kahi aur sift kar dega. Di se bhi mujhe is ghar me bare me ghuma fira kar baat karni hogi aur unse adhik jankari ikathhi karni hogi tabhi main kuchh kar paungi.


Yahi sab sochte huwe Sarita apna kam finish karti hai aur 4.30 baje Savita ke ghar ke liye nikal jati hai. Kuchh hi der me wo Savita ke paas pahuch jati hai. Sarita ke pahuchne ke baad Savita ne kaha.


Savi- Tumne to kaha tha ki 4 baje tak aaogi, lekin samay dekho 4.45 ho gaye hain. Log sahi kahte hain police kabhi samay se kahi nahi pahuchti.

Sarita- (muskurate huwe) Kya di. ab aap bhi meri tang kheech rahi hain. PS me kaam jyada tha to use finish karne me time lag gaya.

Savi- thik hai tum baitho main chaai lekar aati hoon.

Sarita- Nahi di main bhi aapke sath kitchen me chalti hoon. Chaai banate huwe bate bhi hoti rahengi.


Sarita bhi Savita ke sath kitchen me chali gayi aur chaai banate huwe dono bate karne lagi. Sarita ko bhi Savita ke roop me di aur ek Saheli mil gayi thi. jisase wo apne man ki baat kar sakti thi. Savita se baat karte huwe Sarita ne poocha.


Sarita- Achha di. Aap se kuchh poochna tha mujhe.

Savi- Haan to isme itna formalities ki kya jaroorat hai. Tum kuchh bhi poochh sakti ho.

Sarita- Is ghar ke alava Sir kahi aur rahte hain kya. Mera matlab hai ki Jahan Sir apne office ka important kam karte ho.

Savi- (Sarita ko chhedte huwe) Kya baat hai Sarita. Bade interest le rahi ho Nishu me. Waise to bada kahti ho ki uske rahte ghar kaise aaungi. Ab aate hi uske bare me jankari le rahi ho mujhse.

Sarita- Kya di. Aap bhi na. kuchh bhi bolti rahti hain. Aisa bilkul bhi nahi hai. Mera ye kahne ka matlab hai ki wo ghar me to rahte nahi hain jyada aur office ka kam bhi ghar par karna hota hai to fir wo kam karte kaha hain.

Savi- Yaha se kuchh doori par ek doosra ghar hai. Jahan par Nishu Office ke important kam karta hai.

Sarita- Aap kabhi waha par gayi hain di.

Savi- Na baba. Agar usase waha jane ki baat bhi kar do to wo naraz ho jata hai. Isliye main kabhi bhi waha nahi gayi hoon.

Sarita- Naraz kyon ho jate hain wo. Aakhir waha aisa kya hai. Jo wo apse chhupana chahta hain.

Savi- Are Sarita. Aisa kuchh bhi nahi hai. Waha par uski kuchh confidential files wagairah rakhi hui hai. Isliye wo waha jane se mana karta hai.


Iske baad Sarita is Vishay par kuchh nahi boli. Thodi der aise hi dono idhar udhar ki baat karte huwe sham ke 7 baj gaye. Sarita ne Savita se kaha.


Sarita- Thik hai di ab main chalti hoon. Nahi to abhi koi aa jayega to yaha sheet yuddh chhid jayega.


Sarita ke baat ka matlab samajh kar Savita muskurate huwe boli.


Savi- Thik hai Sarita Ab tum jao, lekin jab bhi tumhara man kare tum aa jaya karna mujhse milne. Tumhe nishu se darne ki koi jaroorat nahi hai.

Sarita- Thik hai di. aap apna kyal rakhiyega, mera jab man karega main aati jati rahungi.

Savi- tum bhi apna khyal rakhna.


Iske baad Sarita Aur Savita bahar tak aayi. Sarita ne Savita ko bye bola aur apne ghar ki taraf chal padi. Kuchh door jane ke baad Sarita ne pichhe mud kar dekha to Savita ghar ke andar ja chuki thi. ye dekhkar Sarita Nishchal ke doosre ghar jane wale raste par mud gayi. thodi der me wo nishchal ke ghar ke samne thi. ye ghar do manjila tha. Jaisa mohit ne use bataya tha. Saubhagya se bahar ka gate khula huwa tha aur Bahar ek guard baitha huwa tha. Sarita ne apne munh par rumal bandha aur dandanati hui gate ke andar ghusne lagi. Ye dekhkar guard chillaya.


Guard- Ye ladki. Yaha kaha ghusi chali ja rahi hai. Kaun ho tum.

Sarita- Main bahut badi musibat me hoon. Mujhe nishchal Sir se milna hai.

Guard- kaun se nishchal ki baat kar rahi ho. Main kisi nishchal ko nahi janta.

Sarita- Lekin maine suna hai ki ye ghar unhi ka hai.

Guard- kisne kaha tumse ki ye Nishchal ka ghar hai. Aur ye Nishchal hai kaun jise bare mein tum baat kar rahi ho. Jao yahan se. Pata nahi kahan kahan se chale aate hain dimag khane.

Sarita. Main DSP Nishchal Sir ki baat kar rahi hoon. Ye unhin ka to ghar hai.

Guard- To aisa bolo na. Unka ghar ye nahin hai Yahan se 1 KM. Us taraf jao fir kisi se bhi puchh lena wo tumhe unka ghar bata dega. Ab tum jao yahan se.


Sarita ko samajh me aa gaya ki Guard use andar jane nahi dega. To wo gate se bahar aa gayi aur ghar ke pichhe ki taraf chali gayi. jaisa ki mohit ne use bataya tha uske hisab se ghar yahi hai aur Nishchal ne dadi ko doosre male par rakha huwa hai, lekin doosre male par do kamre bane huwe the. Ab Nishchal ne dadi ko kis kamre me rakha hai.


Sarita ghar ke pichhe wali gali me khadi ghar ka muwayna kar rahi thi. fir sarita ne idhar udhar dekha aur jab use koi dikhai nahi pada to wah boundry koodkar andar aa gayi. jis taraf se wo andar kudi thi waha par halka andhera tha, kyonki us taraf ki streat light nahi jal rahi thi.


Boundry se andar aane ke baad Sarita pichhe se aage ki taraf aayi aur jhank kar dekha to gate band tha aur guard bahar baitha huwa tha. Sarita aahista aahista aakar porch ke samne khadi ho gayi. Upar jane ki sidhiya ghar ke bahar hi thi, lekin usme lock laga huwa tha. Tab sarita ne porch ki taraf se upar jane ka nirnay liya aur thodi bahut masakkat ke baad wo porch ke upar chadh gayi. aur doosre male par pahuch gayi.dono kamre me tin bade bade tale lage huwe the. Ye dekhkar Sarita man hi man sochne lagi.


Sarita- Are yaar. Itne bade bade tale wo bhi tin tin tale. Itni security kaun rakhata hai bhala. Aise lagta hai jaise andar mohar moti chhupakar rakha hua hai. Fir bhi dekhna to padega hi. Lekin mujhe to ye bhi pata nahi hai ki dadi dono me se kis kamre me hain. Kaise pata lagaun main.


Tabhi sarita ke dimag me Idea aata hai wo niche ki taraf jhuk gayi aur key hole se andar dekhne lagi. Pahle kamre me andar dekhne ke baad use kuchh khas najar nahi aaya. Sarita ne Key hole se doosre kamare me jhanka to use Bed ka kona dikhai diya. Sarita ne man hi man socha ki ho na ho Dadi isi kamre me hongi. Ab Sarita kamre ke andar kaise jaya jaye ye shochne lagi.


Usne ghoom ghoom kar charo taraf dekha to use kamre ki khiski khuli dikhayi padi jo Aluminium ke shutter wali thi jisme shishe lage huwe the. Wo shutter khulla huwa tha. Shayad use janboojhkar khola gaya tha. Taki jo bhi kamre me hai use ghutan ma mahsoos ho. Sarita aisa soch rahi thi. usne khidki ke niche dekha to niche boundary ki gherai fencing wire (jo blade ki tarah hota hai jisase aksar VIP Area ke boundry ki gherai ki jati hai.) se ki gayi thi.


khidki tak pahuchana bahut hi khatarnak kam tha. Bas ek galti aur niche boundry ki taraf fencing wire par girna. Jisme Jyada jakhmi hone aur jan jane ka bhi dar tha. Uski waha jane ki himmat nahi ho rahi thi. lekin usne khud ko hausla dete huwe kaha.


Sarita- Ye tum kya kar rahi ho Sarita. Tum itni darpok kaise ho sakti ho. training me to tumhe isase bhi khatarnak setuation ko face karne ke liye diya gaya tha aur tumhe use face kar liya tha. Fir to ye uske aage kuchh bhi nahi hai. Agar dadi ko dhhondhkar apne sawalo ka jawab jan-na hai to tumhe ye rishk to uthana hi padega. You can do it Sarita. You can do it.


Yahi sab sochte huwe Sarita ne apna dil majboot kiya wo khidki ki taraf jane ka sochne lagi. Khidki ke thik niche kuchh pahle se hi iron ki 6 Inch moti ek pipe nikli hui thi jo 3 fit aage aakar niche ki taraf chali gayi thi. Sarita ne khidki tak isi pipe ke sahare jane ki sochi. Sarita ne himmat dikhate huwe pipe par apne panv rakh diye aur dhire dhire sarakte huwe diwar ke sahare khidki tak aane lagi.


Khuchh der ki masakkat ke baad wo pipe ke aakhire side par khadi thi. fir usne kisi tarah jump lagakar khidki ko pakad liya aur kamre me andar dakhil ho gayi. Kamre me pahuch kar usne dekha ki Bed par dadi leti hui hain. Unhe dekhte hi Sarita ke chehre par Khushi aa gayi.


Sarita ne dekha ki bed ke paas ek stool rakha hua hai jispar khane ki plate rakhi hui thi. jo juthi thi. Shayad Nishchal ne subah unke liye khana rakh kar chala gaya tha. Khidki ke bagal me ek raik tha jispar kuchh files rakhi hui thi. Sarita jaise hi aage badhi uska pair raik se takra gaya jiske karan do files jameen par gir padi. Jiski aawaz Sunkar Dadi bister se uthkar baith gayi aur boli.


Dadi- Police babu tum aa gaye.


Sarita ki pith dadi ki taraf thi, kyonki wo jhukkar files uthakar raik me wapas rakh rahi thi. files rakhane ke baad jab Sarita didi ki traraf ghoomi to Sarita ko dekhkar Dadi ki dar ke mare hawa kharab ho gayi. Wo Sarita ko dekhkar kanpne lagi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So apne dimag ka istemaal kar ke sarita ne jitni ho sakti thi utni jankari nikal li nischal ke dusre ghar ki
Ab kadi mehnat ke Baad dadi tak to pahunch gayi ab dekhna ye hai ki dadi se sarita ko kya info milegi and nischal kaise react karega jab usey pata chalega ki sarita ne chori chupe uske ghar mai prawesh kiya kyunki jis behen ko wo itna manta hai usey hi us ghar ke barey mai na bataya to aise sarita ka yu us ghar mai ghusna Jane kya rang layega.
Overall Good Update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 23


Sarita ko apne samne dekh dadi dar gayi aur darte huwe Sarita se boli.


Dadi- Beti tummmm… wooo mujhe kuchh matt karnaa. Mujhee maaf kar doo. Maine kuchh nahi kiya. Meri kuchh majboori thi jiske chalte mujhse wo galti ho gayi. mujhe kuchh mat karnaa.


Dadi ki baat se Sarita ne andaza laga liya ki Dadi use dekhkar dar rahi hain. Unhe lag raha hai ki main unki us din ki harkat se gussa hoon aur unse badla lene aayi hoon. Sarita ne dadi se kaha.


Sarita- Are dadi Aap dar kyON rahi hain. Main aapko nuksan pahuchane ya aapse badla lene nahi aayi hoon. Isliye aap mujhse mat ghabraiye.. main kuchh nahi karungi aapko. Main khud aapse milkar ye pata karna chahti thi ki aakhir aapne aisa kyon kiya. Aakhir aapki aisi kya majboori thi jiske karan aapne mujhe jhoothe case me fansaya. Main aapse bilkul bhi naraz nahi hoon. Lekin aapko mujjhe sabkuchh sach sach batana padega.

Dadi- Kya tum sach me mujhse badla lene nahi aayi ho. tum sach bol rahi ho na ki tum mujhe nuksan nahi pahunchaogi.

Sarita- Nahi dadi. Main sach bol rahi hoon. Main aapko bilkul bhi nuksan nahi pahunchaungi. Agar mujhe aapse badala lena hota ya nuksan pahuchana hota to main aapse is samay baat nahi kar rahi hoti. Apna kam karke chali jati main. Main bas itna chahti hoon ki aap mujhe poori baat bataiye.

Dadi- Kya tum police babu ke sath kam karti ho bitiya.


Sarita Dadi ki baat sunkar sochne lagi ki ye to achha huwa ki us hitlar ke sath roj roj milna nahi hota. hafte me ek ya do baar hi kam karna padta hai uske sath. Agar mujhe uske sath roj kam karna pade to ya to main pagal ho jaungi ya to mujhe Naukri chhodni padegi. Dadi ki baat sunkar Sarita boli.


Sarita- Haan dadi main us hit… unhi ke sath kam karti hoon.

Dadi- Pulice babu bahut hi ache aadmi hain. Mera kitna dhyan rakhte hain.

Sairta- (man me) Haan mujhe pata hai ki hitlar kitna achha aadmi hai. Mujhse behtar use kaun jan sakta hai. Ek number ka kadoos aadmi hai wo. (fir dadi se) Haan dadi wo bahut acche hain, lekin ek baat mujhe samajh me nahi aati ki aapko unhone yaha par kaid karke kyon rakha huwa hai.

Dadi- Wo bachha singh hai na. Wo gunda. Mujhe usi se bachane ke liye police babu ne mujhe yaha par kaid karke rakha huwa hai. Meri natin bhi Uske paas hai.

Sarita- (Chauk kar) kyaa….. Kiske paas hai. Kya huwa use. Kab huwa ye.

Dadi- ye us samay ki baat hai jab main tumse mili thi. us din Baccha singh ke Aadmi mere ghar aaye aur mujhse kaha ki main Wo paise aur gahne ki potli aapko de doon. Jab maine unse poocha ki kisliye to unhone bataya ki wo tumhe jhoothe case me fansana chahte hain. Jab maine mana kar diya to wo log mere sath jor jabardasti karne lage.

Meri natin jo bahar khelne gayi thi. usi samay ghar par aa gayi. to unhone meri natin ko pakad liya aur mujhe dhamki di ki agar maine unka kam nahi kiya to wo meri natin ko ya to maar dalenge ye kothe par lejakar bench denge. Jise sunkar main bahut dar gayi thi. maine unke bahut hanth panv jode. Raham ki bheekh mangi. Lekin unhone meri ek na suni. Isliye majbooran mujhe ye kam karna pada.

Jab wo officers log aaye the aapko pakadne tab bhi unka ek aadmi wahi chhupa tha aur apne sathiyo ko jinhone meri natin ko pakadkar rakha huwa tha. Unhe pal pal ki khabar de raha tha. Jab wo officers tumse baat karne lage to main mauka dekhkar waha se bhag aayi aur sidhe apne ghar pahuchi, Kyonki agar main waha ruk jati to main un officers ke poochne par jhooth nahi bol pati. Aur agar main jhooth nahi bolti to bachha singh meri natin ke sath bahut bura karta. Isiliye main waha se bhag kar apne ghar aai, lekin tab tak…..


Itna kahkar dadi rone lagi. Sarita ne unhe apne gale laga liya aur chup karwate huwe poocha.


Sarita- Par kya dadi. Aapki natin thik to hai na. use khuchh huwa to nahi na.

Dadi- Pata nahi bitiya. Jab main waha pahuchi to bachha singh ke aadmi meri natin ko lekar chale gaye the. Ab kaisi hai. Kis hall me hai. Unhone meri natin ke sath kya kiya hai. Mujhe kuchh nahi pata. Mujhe kuchh samajh me nahi aa raha tha ki main madam mangne kiske paas jaun. Apni natin ko kaha dhoondhu. Bacha singh kea admi meri natin ko kaha lekar gaye hain. Main ye baat kisi se kah bhi nahi sakti thi. Kyonki koi bhi meri madam nahi karta.

Sarita- (gusse se) Us bacha ki itni himmat. Ek chhoti bachhi ki aand lekar apne apko gunda kahta hai. Aap bilkul bhi chinta mat kariye dadi. Main us bachha singh ko chhodungi nahi. Use main achha sabak sikhaungi. Main aapki natin ko wapas lekar aaungi. Aap mujhpar bharosha rakhiye. Mujhe aapse koi shikayat nahi hai. Lekin mujhe ek baat samajh me nahi aayi ki aap Sir ko kaha se mili.

Dadi- Wo kya hai na Jis din se meri natin ko Bachha singh ke aadmi lekar gaye the tab se main bahut pareshan thi. mujhe samajh me nahi aa raha tha ki main kiske paas jaun. Kisase madad mangu. Police ke paas bhi nahi ja sakti thi. Kyonki Agar bachha singh ko pata chal jata ki main police ke paas gayi hui hoon to wo meri natin ke sath pata nahi kya karta. Mujhe uska thikana bhi nahi pata tha ki main uske paas jakar apni natin ke liye bheekh mangti.

Ek din sochne ke baad maine fir khud se hi apni natin ko dhoondhne ka nirnay liya. Maine usko bahut dhoondha lekin wo mili nahi. Ek din bhatakte bhatakte main police babu se takra gayi. jo shayad mujhe hi dhoondh rahe the. Unhone jab mujhse aapko jhoothe rishwat ke case me fansane ka karan poocha to pahle main bahut dar gayi thi, lekin jab unhone kaha ki wo mujhe kuchh nahi karenge to maine unhe poora sach bata diya. fir wo mujhe yaha lekar aa gaye. Lekin mujhe samajh me nahi aa raha hai ki wo mujhe yaha lekar kyon aaye hain.

Sarita- (Man me) Kyonki hitlar chahta hi nahi tha ki main aap tak pahuchu. (dadi se) Wo isliye aapko yahan laye hain ki mere begunah sabit ho jane ke baad aapki jan ko bhi khatra badh gaya hai. Bachha singh ke aadmi aapko bhi khoj rahe honge. Lekin Un logo ko pata nahi hai ki Aapko sir ne apne ghar me chhipa kar rakha huwa hai, Aur Aap sabse jyada surakshit abhi yahi par hain. Isliye aap yaha se abhi kahi mat jaiyega. Achha dadi ye bataiye ki aapko khana pina sahi se milta hai ki nahi.

Dadi- Police babu bahut ache hain beti. Wo mera poora dhyan rakh rahe hain. Wo roj subah sham yaha par aate hain mera hal chal lene aur sath me khana bhi late hain. Mujhe yaha par koi dikkat nahi hai. Bas mujhe bahar nahi jane dete. Iske alava sab kuchh thk hai.

Sarita- Bahut hi jald aap bahar bhi jayengi dadi. Main bahut jald aapki natin ko khoj nikalungi. Achha dadi. Aaj jab wo aapse milne ke liye aaye to unse ye mat bataiyega ki main aapse milne ke liye aayi thi.

Dadi- (hairan hote huwe) Wo kisliye beti.

Sarita- Kyonki Unhone sabhi ko yaha aane ke liye mana kiya hai. Jo bhi apse milne aayega wo unse poochkar aayega, lekin main unse bina pooche hi aapse milne ke liye aa gayi. agar aapne unse bata diya ki main aapse milne aayi thi to wo mujhse naraz ho jayege. (apne man me) Naraz ho jaye meri bala se. (dadi se) aur agar wo naraz ho gaye to mujhko bhi saza de sakte hain. Kyonki wo mere sahab hain. Aur agar unhone mujhe saza de di to main aapki natin ko kaise dhoondhungi fir.

Dadi- Thik hai bitiya main police babu ko kuchh nahi bataungi. Lekin maine tumhare sath jo kiya wo bahut galat kiya. Lekin main kya karti main majboor thi. isliye ho sake to mujhe maaf kar dena beti.


Itna kahkar Sarita ke samne dadi ne apne hanth jod liye. Sarita ne turant unka hanth pakadkar unse kaha.


Sarita- Ye Aap kya kar rahi hain dadi. Aap mujhse badi hain. Apka mere samne yun hanth jodna mujhe ache nahi lagta. Aapne mujhe beti kaha hai na. to jaise aap Gudiya ke liye uski dadi ho usi tarah mere liye bhi aap dadi ho. Achha dadi main chalti hoon nahi to agar wo hitlar aa gaya to bahut badi gadbad ho jayegi. Aap unse mere bare me kuchh mat kahna. Main bahut jaldi hi Gudiya ke sath aapke paas wapas aaungi.

Dadi- Thik hai bitiya. Apna khyal rakhna.


Dadi ne Sarita ke sir par hanth firate huwe ye baat kahi. Unki baat sunkar Sarita muskurate huwe khidki ki taraf jaise hi pahla kadam badhaya. Bahar se kuchh khat pat ki aawaz sunai padi. Aisa lag raha tha ki jaise koi tala khol raha hai darwaze ka. Bahar hui khatpat sunkar Sarita samajh gayi ki hitlar aa gaya hai. Ab sarita pareshan ho gayi. Kyonki agar Nishchal ne use yaha dekh liya to bawal machana tay hai. Jo wo filhal is vakt nahi chahti thi. Sarita apne man me sochne lagi.


Sarita- Hey bhagwan Ye hitlar to Aa gaya hai. Ab main kya karun. Itni jaldi jaldi me main khidki se bahar ja hi nahi sakti. ab kya hoga. Ab main kaise bachu is hitlar se. kuchh bhi ho mujhe iski najro ke samne nahi aana hai.


Hairan pareshan Sarita charo taraf chhupne ki jagah dekh rahi thi. lekin use chhupne jaisi jagah nahi mil rahi thi. tabhi uska dhyan bister ki taraf gaya . fir usne dadi ko kuchh na batane ka ishara kiya aur bister ke niche ghus gayi. thik usi samay Nishchal Tala kholkar andar aa gaya aur dadi ke paas aakar khada ho gaya. Is dauran Sarita ke ek hanth par Nischal ka pair pad chuka tha. Jiske karan use dard huwa aur usne doosre hanth se apna munh band kar liya. Taki uski aawaz bahar na nikle.


Darasal huwa ye ki hadbadahat me Sarita piche ki taraf se bister ke niche ghus rahi thi. to uska hanth bister ke thoda aage nikala huwa tha. Aur Nishchal bhi chalta huwa siddha dadi ke paas aakar ruk gaya. Jiske karan uske ek pair ne niche Sarita ka hanth aa gaya tha.


Nishchal dadi ke paas khada hokar Unka hal chal lene me vyast ho gaya. Idhar niche Sarita ka dard se bura hall ho raha tha. Wo apne doosre hanth se apne munh ko kaskar band kiye huwe pet ke bal leti hui thi. Wo itni majboor thi ki apna hanth kheech bhi nahi sakti thi. kyonki hanth ke Kheechne se Nishchal ko pata chal sakta tha ki Sarita waha par hai. Sarita dard se behal man hi man soch rahi thi.


Sarita- Is khadoos ko bhi abhi hi aana tha. Hey bhagwan. Kis janam ka badla le rahe ho mujhse. Ye to andha ho gaya hai. Ise kuchh samajh me nahi aa raha hai ki isne apna pair kaha par rakha huwa hai. Siddha aakar mere hanth par khada ho gaya hai. Ye aadmi ka pair hai ya hanthi ka pair hai. Kitna bhari hai ye.

Ohhhhhhh mummy. Isne apne pair ko aise jam kar liya hai jaise angad ne apna pair jam kar diya tha. Jaldi se mere hanth se hat ja Hitlar, Khadus aadmi. Meri jaan nikal rahi hai. Hey bhagwan main kya karun. Mujhse ye dard bardast nahi ho raha hai. Agar ye thodi der nahi hata to main chilla dungi. Fir jo hoga dekha jayega.


Shayad Bhagwan ne Sarita ki pukar sun li thi aur unhe Sarita par daya aa gayi thi. isliye kuchh hi pal me Nischal waha se chalta huwa doosri taraf rakhi mej ke paas khana rakhne ke liye chala gaya. Sarita ne apna hanth kheech liya aur apne doosre hanth se sahlati hui foonk marne lagi. Uski jan me jan laut aayi thi.


Khana rakhkar NIshchal dadi ki taraf palta. Tabhi uski nazar khuli khidki par padi. Khidki ke baad uski najar apne raik par padi to use waha ki file kuchh bigdi hui najar aayi. Ye dekhkar Nischal ne dadi se poocha.


Nischal- Amma. Mere jane ke baad is kamre me koi aaya tha kya.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ki halat kharab ho gayi. use laga ki shayad wo ab pakdi jayegi. Wo man hi man prarthna karne lagi ki dagi kuchh kah na de mere yaha aane ke bare me. Tabhi use dadi ki aawaz sunai di. jise sunkar usne sukon ki sans li. Lekin kahi na kahi use dar bhi lag raha tha ki kahi dadi ke mujh se hadbadi me uske yaha aane ki baat nikal na jaye.


Dadi- Nahi police babu. Yaha to koi nahi aaya tha aapke jane ke baad.

Nishchal- Fir ye file kaise idhar udhar ho gayi hai. Kyonki maine jaise rakha tha file. Us hisab se ye nahi rakhi hai.

Dadi- Wo kya hai beta ki dophar me tez hawa chali thi. aur ye khidki bhi khuli hui hai to tez hawa ke karan do file jameen me gir gayi thi, jise maine uthakar waha par rakh di thi.

Nishchal- Thik hai amma Aap khana kha lijiye. Tab tak main file ko sahi se rakh deta hoon.


Nischal ne itna kahkar khana lakar stool par rakh diya. didi khana khane lagi to nishchal apni file ko thik karne laga. Fir wo kamre me idhar udhar tahalne laga. Thodi der me dadi ne khana kha liya aur Nischal se poocha.

Dadi- Police babu. Abhi mujhe yaha par kitna din rukna padega. Mujhe apne ghar jana hai.

Nishchal- Bas kuchh din aur yaha rukna padega amma. Uske baad aap ghar ja sakti hain. Baat ye hai ki mujhe is bich bahut jyada kam hai to main Un logo par jyada dhyan nahi de pa raha hoon. Kuchh hi dino me poora kam finish karke pahle un logo se nipatunga uske baad aap apne ghar ja sakti hain.


Idhar Sarita Palang ke niche apne dard hote hath ko doosre hanth se sahlati hui soch rahi thi ki isko jana nahi hai kya. Ye to apni poori ram kahani lakar baith gaya. Pata nahi kiska munh dekhkar subah uthi thi. tabhi use dadi ki aawaz sunai padi.


Dadi- Bas police babu meri Natin ko Unse bacha lo. Main use bahut pyaar karti hoon. Use kuchh ho gaya to main mar jaungi.

Nischal- Aap uski fikar mat kariye amma. Use kuchh nahi hoga. Main use aapke paas lekar aaunga. Tab tak aap thoda Dheeraj rakhiye. Achha amma ab main chalta hoon. Aapne khana kha liya hai to aaram kariye aap.


Itna kahkar Nishchal kamre se bahar nikal jata hai aur tala lagakar niche chala jata hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Baal baal bach gayi sarita to aaj ab dekhan ye hai ki kahi niche utarte huwe sarita se koi kand na hojaye.
Nischal ki baton se aise nahi lag raha hai ki wo dadi ki natin ko lekar kuch zyada serious hai kyunki jis hisab ka uska jawab tha usme kisi prakar ki koshish nahi dikhi ke wo natin ko khoj bhi raha hai agar wo dadi ki natin ko khoj hi nahi raha hai to Phir dadi ko itni security mak rakh kar kya fayda unhe chod deta wo khud hi kuch na kuch karleti apni natin ka pata laga ne ke liye.
Overall Good Update
BRAVO 🙌
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
So apne dimag ka istemaal kar ke sarita ne jitni ho sakti thi utni jankari nikal li nischal ke dusre ghar ki
Ab kadi mehnat ke Baad dadi tak to pahunch gayi ab dekhna ye hai ki dadi se sarita ko kya info milegi and nischal kaise react karega jab usey pata chalega ki sarita ne chori chupe uske ghar mai prawesh kiya kyunki jis behen ko wo itna manta hai usey hi us ghar ke barey mai na bataya to aise sarita ka yu us ghar mai ghusna Jane kya rang layega.
Overall Good Update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।
सरिता के दिमाग मे एक धुन सवार है जो वो निष्चल के मना कर के के बाद भी नहीं मान रही है। उसने जानकारी हासिल भी कर ली और निश्चल के घर पहुंच भी गई।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Baal baal bach gayi sarita to aaj ab dekhan ye hai ki kahi niche utarte huwe sarita se koi kand na hojaye.
Nischal ki baton se aise nahi lag raha hai ki wo dadi ki natin ko lekar kuch zyada serious hai kyunki jis hisab ka uska jawab tha usme kisi prakar ki koshish nahi dikhi ke wo natin ko khoj bhi raha hai agar wo dadi ki natin ko khoj hi nahi raha hai to Phir dadi ko itni security mak rakh kar kya fayda unhe chod deta wo khud hi kuch na kuch karleti apni natin ka pata laga ne ke liye.
Overall Good Update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।

बात ये है कि निश्चल सरिता की तरह नहीं है कि कोई काम जल्दबाज़ी में करे। वो हर काम सोच विचार कर करता है इसलिए पढ़ने वालों को यही लग रहा है कि निश्चल नहीं चाहता दादी की बच्ची को ढूंढना। लेकिन वो अपने आदमियों को इस काम पर लगा दिया है।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 46


Itna bolkar Nishchal fir se Sarita ke cabin me chala jata hai aur Sarita ka wait karne lagta hai. thodi der baad Sarita Rawat Sir ke cabin se bahar nikalti hai aur apne cabin me jati hai, lekin waha Nishchal ko dekhkar chaunk jati hai aur usase kahti hai.


Sarita- Aaap yaha kya kar rahe hain Sir.

Nishchal- Wo sab chhodo. pahle ye batao ki tum ghar se kyon chali aayi.

Sarita- Ghar se kyon chali aayi se kya matlab hai aapka Sir. ye meri duty hai to ghar se karungi nahi iske liye PS aana hi padega. Isliye ghar se chali aayi.

Nishchal- Main yaha aane ki baat nahi kar raha hoon Miss Joshi. Tum ye batao ki tum apna saman lekar kyon chali aayi.


Nishchal ki baat sunkar Sarita uske paas chali gayi aur uska sir pakadkar idhar udhar karke dekhne lagi. Nishchal ko kuchh samajh me nahi aa raha tha. Sarita na kaha.


Sarita- Chot to kahi lagi nahi hai sir par phir aisa bartav kyon kar rahe hain aap.

Nishchal- tum kahna kya chahti ho Sarita.

Sarita- Main ye kahna chahti hoon ki subah subah aapko kya ho gaya hai. aapko kahi saman dikh raha hai hai yaha cabin me jo aap aisi baat kar rahe hain.

Nishchal- main thik hoon. mujhe kuchh nahi huwa hai. bas tum ye batao ki tum apna saman lekar kyon chali gayi.

Sarita- Main apna saman lekar kyon jaungi.

Nishchal- (jhunjhulakar) Dekho Sarita. mera dimag is samay bahut kharab hai. tum ise aur jyada kharab mat karo aur sidhe ghar chalo.

Sarita- Main abhi ghar kyon chalun.

Nishchal- Uffff yaaar tum itna irritate kyon karti ho saman kaha hai tumhara.

Sarita- Aapke ghar par hai.

Nishchal- (chaukte huwe) mere ghar mein. lekin mere ghar me kaise ho sakta hai.

Sarita- Kyon nahi ho sakta. jab aapke ghar me rahti hoon to saman bhi to aapke ghar me hi hoga na.

Nishchal- Lekin jis kamre me tum rahti ho us kamre me to tala laga huwa hai.

Sarita- Achhhha woo. Soryy di ne kaha tha ki darwaza band kar lena, lekin meri aadat padi hai room lock karne ki, isliye jaldi jaldi me dhyan hi nahi raha is baat ka.

Nishchal- main kab se pooch raha hoon. ye baat tum mujhe pahle nahi bata sakti thi.

Sarita- Meri chhodiye. aap bataiye, kya aap yahi poochne aaye the yaha par.


Ye baat sarita ne Nishchal ko aankhe dikhate huwe kahi, Sarita se aise sawal ki ummeed nishchal ko nahi thi. wo Sarita ki baato se sakpaka gaya aur haklate huwe bola.

Nishchal- wo.. mai… mera matlab hai ki…. bilkul bhi nahi main to ek kam se yaha aaya tha.

Sarita- To fir jaiye na. yaha par apna samay kyon barbad kar rahe hain.

Nishchal- haan to ja raha hoon, tumhe batane ki jaroorat nahi hain.

Sarita- haan to jaiye na. (apne man mein) Akad nahi jayegi inki, rahenge to ye wahi akdu hitlar.


Nishchal SArita se baat karne ke baad chala gaya. Sarita uske jane ke baad kuchh soch me doob jati hai. Isi tarah poora din bit gaya. Sham ko Sarita PS se ghar ke liye chali gayi.


******

Udhar Raghu us neta ke banglow par pahuch gaya jiske bare me bachha singh ne use bataya tha. Neta se milkar Haal chal puchhne ke baad asli mudde ki baat hone lagi.


Neta- Haan to Raghu bhaai. bataiye aaj mujhe kisliye yaad kiya tumne.

Raghu- Ek kaam tha aapse Neta ji. Jisme mujhe aapko madad chahiye.

Neta- Haan bataiye. mujhse jo madad ban padegi wo main karunga tumhari madad.

Raghu- wo to main bataunga hi neta ji, Lekin aapko ye wada karna hoga ki Ye baat Aap bhaiya ko nahi batayenge. Ye baat mere aur aapke bich me rahegi. aap samajh rahe hain na ki main kya kah raha hoon.

Neta- Bilkul samajh gaya Raghu bhaai. tum kaam batao. ye baat ham dono ke bich me rahegi.

Raghu- main ek Police inspector ke tabadle ke silsile me aapse milne aaya tha. main chahta hoon ki aap uska tabadala yaha se doosri jagah karwa dijiye. Uski wajah se Mere kaam me adchan aa rahi hai.

Neta- Kis Inspector ke transfer ki baat kar rahe ho tum.

Raghu- Inspector Sarita Joshi ki baat kar raha hoon. main chahta hoon ki uska tabadala aap yaha se kahi doosri jagah karwa dijiye.

Neta- Kya baat kar rahe ho Raghu bhai, ye kaam bahut muskul hai. Kyonki tum jiski baat kar rahe ho wo aaj ke samay me public figure ban chuki hai. Uske tabadale ke mamale me koi bhi hanth nahi dalega. khas kar is samay to main bilkul bhi khatra mol nahi lunga. Kyonki abhi election sir par hai. is liye main tumhari koi madad nahi kar paunga.


Neta ki baat sunkar Raghu ko bahut gussa aaya, lekin wo apne gusse ko jabt kar gaya aur neta se bola.


Raghu- Thik hai neta ji. main bahut ummeed lekar aapke paas aya tha lekin aapne mujhe nirash kiya. ab main chalta hoon. jald hi aapse mulakat hogi.


Ye bolkar Raghu neta ke yaha se nikal kar apne ghar chala gaya.


******

Aise hi 3-4 din aur bit jate hain, guldaste ka aana roj jari tha. ek din guldasta Nishchal ke hanth lag gaya to usne Sarita se Poocha.


Nishchal- Sarita. Ye tumhare liye guldasta aaya hai.

Sarita- Thank You.

Nishchal- Waise ye Guldasta kisne bheja hai tumhe.

Sarita- Aapse matlab.

Nishchal- Nahi main to bas aise ho pooch raha tha.

Sarita- (Nishchal ko jalane ke liye) Hai koi mera chahne wala.

Nishchal- (bura sa munh banakar) Achha Kaun hai ye to bata do.

Sarita- Aaapse kya matlab. Kam se kam koi to hai jisne mere kam ki tareef ki hai. ek aap hain jise koi kaam achha nahi lagta mera.

Nishchal- (chidhkar) Achha bas bas. Jyada tareef karne ki jaroorat nahi hain.

Sarita- Kyon jalan ho rahi hai kya.

Nishchal- Mujhe kyon jalan ho ne lagi. tum raho apne chahne walo ke sath.


Itna kahkar Nishchal apne kamre me chala gaya. Sarita use pichhe se aawaz deti rahi lekin wo nahi ruka. Sarita ko bhi ab is guldaste wale ka pata lagana tha isliye usne agle din ke liye ye sab chhod diya aur PS chali gayi.


Sare PS ko pata chal chukka tha ki koi anjan sakhs Sarita ko bahut chahta hai aur guldasta bhajta hai. Ye baat Sarita ko bahut pareshan kar rahi thi. Usne socha ki kam se kam pata to chale ki use kaun guldasta bhejta hai to usne PS ke samne lage CCTV dekhne ka nishchay kiya.


Jab Sarita ne CCTV dekha to pata chala ki subah tadke ek chhota sa bachha gate ke bahar guldasta rakh kar chala jata hai. Sarita ne soch liya ki kal wo is bachhe se mulakat karegi aur wah guldasta kyon aur kiske kahne par rakhta hai usase baat karegi. Sara din kaam karne ke baad Sarita ghar chali jati hai aur agle din ka intezar karne lagti hai.


Doosre din Sarita Subah jaldi uthi aur ek lower t-shirt pahankar Savita se ghoomne jane ka bolkar chali gayi aur PS ke paas pahuch kar kuchh door bait gayi.


Kuchh hi samay me wo bachha guldasta lekar aaya aur gate ke bahar rakhkar jane legato Sarita ne use pakad liya. Pahle to wo ladka Sarita ko dekhkar dar gaya, lekin jab Sarita ne use samjhaya to wo samanya ho gaya. Sarita ne usase poochha.


Sarita- tum ye guldasta kiske kahne par rakhte ho yaha par.

Ladka- Mujhe ek bhaiya yaha aisa karne ke liye bolte hain. mujhe unka naam nahi pata hai.

Sarita- Kya tum mujhe apne us bhaiya se milaoge.

Ladka- Main unhe nahi janta. wo munh par kapda bandhkar aate hain aur mujhe guldasta rakhne ke liye dete hain. jab main guldasta rakh kar jata hoon to wo roj mujhe iske liye paise dete hain.

Sarita- To tum ye paiso ke liye karte ho. kitne paise dete hain wo bhaiya tumhe.

Ladka- Mujhe paiso ki bahut jaroorat hai. Mere papa Koi kam nahi karte aur amma kam karke jo paise lati hai wo sab chheenkar papa sharab pi jate hain. isliye main bhi thoda bahut kaam kar leta hoon. taki meri amma aur main bhukhe na rahe.

Sarita- Thik hai. main tumhe us bhaiya se jyada paise dungi aur tumko khane ke liye bhi paise dungi, lekin agli baar jab wo bhaiya tumse aisa karne ke liye bole to tum mana kar dena.

Ladka- Lekin main unse kahunga kya.

Sarita- tum unse bol dena ki Jiske liye wo guldasta bhijwate hain unhone kaha hai ki unhe ye sab pasand nahi.

Ladka- Thik hai. main aisa ho bolunga.

Sarita- tum school jate ho padhne ke liye.

Ladka- (udas hokar) nahi. papa ke karan main ab school nahi jata hoon. lekin mujhe padhna bahut achha lagta hai. main bhi padh likh kar bada aadmi ban-na chahta hoon.

Sarita- Woow. bahut achha. to tum kal se school jaoge. tum aaj dophar mein mujhse milne ke liye Is thane me aana. main tumhare liye bags aur kitabein lekar aaungi. aur tumhara dakhila bhi karwa dungi. main isi thane me kaam karti hoon. tum kabhi bhi mujhse milne aa sakte ho.


Sarita ki baat sunkar ladka bahut khush huwa. wo khushi se uchhalte huwe bola.


Ladka- Aap sacha kah rahi hain na. aap mera dakhila karwayengi school me.

Sarita- Haan aur kal se tum mujhe school me dikhne chahiye yaha par nahi.


Sarita ki baat sunkar wo ladka uchhalta kudata waha se chala gaya, lekin do Jodi aankhe use hi dekh rahi thi. wo koi aur nahi Raghu hi tha jo wahi par chuupa huwa Sarita ko bachhe se bate karte huwe dekh raha tha.


Sarita ne jakar gate ke paas se guldasta uthaya aur paas me lage kudedan me fenk diya. jab wah ghar aayi to Savi gadi se kahi ja rahi thi. Jab Savi ne Sarita ko dekha to Usne gadi rokkar Sarita ko apne paas bulaya aur kaha.


Savi- Achha huwa tum aa gayi Sarita. nahi to mujhe phone karna padta tumhe. wo baat ye hai ki mujhe NGO ke kam se urgent bahar jana hai. main kal tak aa jaungi. maine Kaka (Rasoiya) ko sahej diya hai. wo sab dekh lenge.

Sarita- thik hai di. aap jaldi jakar aaiye. waise aap akeli ja rahi hai ya koi aur sath me hai.

Savi- Nahi Raghav bhi sath ja raha hai main use Aage raste mein pichup kar lungi.

Sarita- Thik hai di. Bye.

Savi- Bye. aur haa tum apna dhyan rakhna aur plz Nishu aur tum ladai mat karne lagna.

Sarita- Thik hai di. (man me) main nahi karti ladai di. wo hitlar hi shuru karta hai pahle.


Savi ke jane ke baad Sarita naha dhokar taiyar hui aur nashta karke PS ke liye nikal gayi. Raste me Sarita ne ATM se paise nikale aur PS pahuch gayi. Sarita sidhe apne cabin me chali gayi. Kuchh der baad janhavi uske cabin me pahunch gayi aur boli.


Janhavi- Madam aaj to kamal ho gaya. guldasta abhi tak nahi aaya.

Sarita- (hanste huwe) Maine to tumse pahle hi kaha tha ki koi mere sath mazak kar raha hai, lekin tum logo ko lagta tha ki mera koi sirfira aashik hai jo mujhe roj guldaste bhej raha hai. dekha aaj nahi bheja usne guldasta.

Janhavi- madam ho sakta hai ki bechare ki tabiyat kharab ho. ya wo kahi bahar chala gaya ho. jiske karan usne guldasta nahi bheja.

Sarita- Ohhhh Realy. to tum is samay yaha kya kar rahi ho. jakar uski khojbin karo aur sachhai ka pata lagao. tumhara is PS me kya kaam .

Janhavi- I am sorry madam, mera wo matlab nahi tha. main to bas majak kar rahi thi. I am realy sorry.

Sarita- Its okkkk. Waise main bhi majak hi kar rahi thi.


Itna kahkar dono jor jor se hansne lagi. thodi der hansne ke baad sarita ne kaha.


Sarita- Thik hai ab tum jao aur haan dophar tak shayad ek chhota bachha aaye. use tum mere paas bhej dena.

Janhavi- Okk madam.


Janhavi ke jane ke baad Sarita apna kam karne lagi. Dophar me Janhavi ne Sarita ko bataya ki ek bachha aaya hai usase milne to Sarita ne use cabin me bhejne ke liye kaha. fir Sarita ne jawed ko phone karke apne cabin me bulaya aur kaha.


Sarita- Jawed ji. aap is bachhe ko lekar jaiye aur kisi ache se school me iska dakhila karwa dijiye.

Jawed- Ji madam jaisa aap kahe.

Sarita- Ye lijiye paise. iski school dress aur kitabo ke liye aur dakhile ke liye. (fir us bachhe se) Dekho beta. main tumhara dakhila school me karwa rahi hoon to tumhe roj school jana padega. (jawed se) aur ye lo Jawed ji kuchh paise jab is bachhe ko iske ghar chhodne jaiye to iski maan ko de dijiyega aur iske papa agar mile to unki thodi ache se khatirdari karte huwe samjha dijiyega.

Jawed- Ji Madam.

Sarita- (us bachhe se) Tumhe kisi bhi cheej ki jaroorat ho to mujhse aakar bolna. par main tumhari baat tabhi manungi jab tum khoob man lagakar padhai karoge aur ache number se paas hoga. promiss karo ki tum meri baat manoge.

Ladka- Promiss. main khoob ache se padhunga.


Jawed us bachhe ko lekar cabin ka bahar nikal jata hai. Sarita bhi uske baad aapna kam karne lagti hai aur Sham ko PS se ghar chali jati hai.


Jab Sarita ghar aati hai to guard use ghar ki chabi deta hai to Sarita kahti hai.


Sarita- Kaka kahan gaye hai.

Guard- bitiya. uski patni ki tabiyat achanak se kharab ho gayi isliye wo apne ganv chale gaye hain. jate vakt wo bolkar gaye hain ki wo jaldi hi aa jayenge. waha jate huwe khana banakar rakh kar gaye hain. aap kha lijiye aur jab Sahab aayenge to unhe bhi khila dijiyega.


Sarita chabhi lekar andar aati hai aur darwaza kholkar ghar me jati hai aur apne man me badbadati hai.


Sarita- Kya musibat hai yaar. Di ko aaj hi kaam se jana tha. kam se kam wo rahti to mujhe is hitlar ke sath akele to nahi rahna padta.


Sarita fresh hokar chaai banati hai aur cup lekar balcony me chali jati hai aur chaai pine lagti hai. chai pine ke baad wo cup wahi par rakhkar apna phone nikalti hai aur ghar par phone kar deti hai. phone manisha ne uthaya.


Manisha- Hey didiya. kaisi ho tum.

Sarita- Main thik hoon, tum kaisi ho.

Manisha- Main bhi bahut badhiya hoon didiya. tum to yaad hi nahi karti hame. kitne din baad baat kaar rahi ho tum.

Sarita- Tujhe to pata hai ki mujhe kitna kam rahta hai. samay hi nahi mil pata kahi baat karne ka. Achha ye sab chhod aur mummy papa ko phone de.

Rani- Haan Sarita beti. yahi hoon main bol sun rahi hoon.

Sarita- Kaisi hai aap mummy aur papa kaise hain.

Rani- Main thik hoon beti. tere papa bhi thik hain. abhi wo aaye nahi hain auto lekar.

Sarita- Maine papa ko kitni baar kaha hai ki ab auto chalana band kar dein. ab main kamane lagi hoon to papa ko auto chalane ki kya jaroorat hai.

Rani- Din bhar ghar mein baithkar bhi kya karna hai. Isi bahane kam se kam ghar se bahar chale jate hain. chaar logo se milna julna ho jata hai. jab main tere papa se kahti hoon to wo mujhko yahi baat suna dete hain aur main chup ho jati hoon. tum hi apne papa se baat karna iske bare mein.


Fir kafi der tak Sarita apni Mummy aur Manisha se baate karti hai aur phone rakh deti hai. baithe baithe Sarita ko bhookh lagne lagti hai to wo Jakar khana kha leti hai aur Apne kamre me chali jati hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 47


Sarita apne kamre me jakar Kitaab Nikaal kar padhne Lag jati hai. Kuchh der padhne ke baad wo so jati hai. Raat ke kareeb 12 baje ke aas paas ghar ki well bajti hai aur kaka kaka ki aawaz sunai deti hai. Sarita jamhuwai lete huwe uthti hai to use pata chalta hai ki ye Aawaz Nishchal ki hai. Waha niche jakar darwaza kholti hai to Nishchal use dekhte hi poochta hai.


Nishchal- Tum abhi tak jag rahi ho. soi nahi. kaka kaha par hain. main kab se aawaz de raha hoon lekin wo kuchh bol hi nahi rahe hain.

Sarita- Aap jakar fresh ho jaiye tab tak hain khana lagati hoon aapke liye.


Nishchal Sarita ke aur kuchh poochta usase pahle hi Sarita kitchen me chali gayi aur khana garam karne lagi. NIshchal bhi apne kamre me chala gaya aur fresh hokar bahar aaya. tab tak Sarita ne khana garam karke table par laga diya tha aur wahi paas rakhi kursi par baithi hui thi. Nishchal jakar uske samne baith gaya aur usase kaha.


Nishchal- Tumne khana khaya.

Sarita- Haan.

Nishchal- Kaka kahi gaye hain kya.

Sarita- (jamhuwai lete huwe) Haann….. woo… unki wife ki tabiyat khatab thi to wo ganv chale gaye hain.


Iske baad Nishchal kuchh nahi bolta hai aur chupchap khana khane lagta hai. Khana kha chukne ke baad hanth dhote huwe wo Sarita se kahta hai.


Nishchal- Main khana kha chukka hoon. ab tum jao aur so jao.


Sarita ki taraf se koi jawab na pakar wo Uski taraf dekhta hai to Muskurane lagta hai. subah jaldi uthne ke karan Sarita ko itni gahri neend lagi thi ki wo wahi par baithe baithe so gayi Nishchal kaafi der sarita ko aise hi niharta raha.


Nishchal apni jagah se utha aur Sarita ko aawaz dene laga lekin Sarita ne koi jawab nahi diya to wo Sarita ke paas aaya aur uske kandhe pakadkar hilane laga to Sarita ne neend me hi kaha.


Sarita- Kyon pareshan kar rahe ho sone do na.


SArita ki aawaz sunkar Nishchal ke chehre par muskan aa gayi wo man hi man sochne laga.


Nishchal- (man me) Dekho is samay kitne prem se baat kar rahi hai abhi hosh me hoti to chune ke karan mujhe ek thappad laga chuki hoti. ab main kya karu. ise aise to poori raat chhod nahi sakta pata laga kab neend me hi kursi samet niche gir pade. par iski nigrani me sari raat yaha bita bhi nahi sakta hoon. subah duty par bhi jana hai.


Nishchal kuchh der aise hi khada sochta raha fir Usna Sarita ki kamar me hath dalkar use apne god me utha liya. Sarita neend me doob chuki thi isliye use kuchh pata nahi chala. Nishchal use apni god me uthakar sidhiya chadhta huwa upar uske kamre me le gaya aur use bed par litakar turant uske paas se hat gaya,


Kyonki use pata tha ki agar usne Sarita ki taraf dekha to uska dil uski taraf kheechne lagega aur apne upar se control bhi kho sakta hai, isliye usne Sarita ki taraf ek baar bhi nahi dekha. Sarita ko bed par litane ke baad wah darwaze ke paas aaya aur waha khada hokar SArita ko niharta raha. kuchh der Sarita ko dekhne ke baad wo uske kamre ka darwaza band kar apne kamre me chala gaya.



Subah Sarita ki jab nind khuli to uthkar wo niche aayi. NIshchal use kitchen me nashta banate huwe mila. to Sarita ne kaha.


Sarita- Are aap yaha kya kar rahe hain. aap mujhe bol dete to main bana deti.

Nishchal- Ohhh tummm uth gayi. Are koi baat nahi. kaka ka subah hi phone aaya tha ki wo abhi kuchh din apne ghar par rukenge to maine socha ki main khud hi nashta bana loon. Waise tumhare us chahne wale ne guldasta bheja hai wo waha sofe par rakha huwa hai.

Sarita- (man me) Are yaar is bande ne to pareshan kar ke rakh diya hai. aakhir ye chahta kya hai. baad me dekhti hoon ise. (nishchal se) Agar kaka ka phone aaya tha to aap mujjhe to bol sakte the main nashta bana deti. waise kal raat ko main niche thi to apne kamre me kaise pahuchi.


SArita ki baat sunkar Nishchal chuank gaya aur chukanna ho gaya. usne socha ki agar usne sach bataya to ye kali ka roop dharan kar legi. koi na koi bahana marna padega nahi to ye pichha nahi chhodegi. Nishchal ko sochte dekh sarita ne phir poocha.


Sarita- maine kuchh poocha hai aapse. main kal niche se upar kaise pahuchi.

Nishchal- Mujhe kya pata. tum khana dene ke baad kuchhh der yaha baithi thi aur fir apne kamre me chali gayi thi.

SArita- Achha. Kya sach me yahi huwa tha. Kal bahut neend lagi thi mujhe. mujhe kuchh yaad hi nahi aa raha hai.

NIshchal- (man me) thank You bhagwan aaj to bal bal bacha hoon main.

SArita- aap hatiye main banati hoon.

Nishchal- tum chalkar table par baitho. nashta ban gaya hai main lagata hoon.


Sarita jakar dining table par baith gayi. Nishchal nashta lekar aaya aur samne baith gaya. dono nashta karne lage. Nashata karte huwe Sarita ne kaha.


Sarita- Waaahhhhhh Sirrr. Kya nashta banaya hai aapne. Kitna lajeej hai. aaj se ek kaam kariye aap. kaka ko bol dijiye ki ab wo apne ghar me hi rahe. aaj se nashta aap hi banaiye roj.

Nishchal- Very funny. Kya main tumko naukar dikhta hoon kya.

Sarita- Aap naukar to hain hi. abhi sarkaar ke naukar hain aur jab shadi ho jayegi to apni bibi ke naukar ban jaenge.


ye baat kahkar Sarita jor jor se hansne lagi. Sarita ke hansne se Nishchal chidh gaya aur bola.


Nishchal- Jyada battishi dikhane ki jaroorat nahi hai. Sham ko aana aur khud banakar kha lena. main tumhe banakar khilane wala nahi hoon.

SArita- to aapse mang kaun raha hai. abhi mere dono hath sahi salamat hain. aapse achha nashta aur khana bana sakti hoon. waise bhi main apna kaam khud hi karti hoon. aapko batane ki koi jaroorat nahi hai.

Nishchal- Wo to dikh hi raha hai ki kitna kam karti ho tum.

SArita- Jab dikh raha hai to bol kyon rahe hain aap.

Nishchal- Do minute munh band karke chupchap nashta nahi kar sakti ho kyat um.

Sarita- Agar yahi baat main kahu aapse to.

Nishchal- Are yaar. tumse to baat karna hi bekar hai. main hi pagal hoon jo tumse baat kar raha hoon.


Ye bolkar Nishchal apni chair se utha aur apne kamre ki taraf chala gaya. pichhe se Sarita chillate huwe bolti hai.


SArita- to mat kariya na. Kisne kaha hai mujhse baat karne ke liye. main bhi mari nahi ja rahi hoon aapse baat karne ke liye. (apne man me) Pata nahi kya samjhte hain apne aapko. hitlar kahi ke. Nashta nahi lag raha hai jaise sanjiwani buti lane ke liye gaye the mere liye. haan nahi to. huuunhun.


Nashta karke Sarita bartan kitchen me rakhne jati hai tabhi Nishchal taiyar hokar tezi se ghar se bahhar nikal jata hai. Sarita bhi apne kamre me jakar taiyar hoti hai aur PS ke liye nikal jati hai.


PS pahuch kar wo Apna kam karna lagti hai. Kuchh ghante baad Ranjana bhagte huwe Uske cabin me aati hai. Wo bahut ghabraai hui thi. Sarita ne Usase poocha.


Sarita- Kya huwa Ranjana, Tum itna ghabrai hui kyon ho.

Ranjana- Wo madam. Jis sensitive ilake mein Aapne police tainat ki thi Waha par abhi danga ho gaya hai. Bahut Jyada Afra tafri mach gayi hai. Police force ki kami ho gayi hai waha. Abhi jawed Sir ka phone aaya tha. Unhone aur police force bhejne ke liya kaha hai.

Sarita- (chauk kar) Kya. Kya baat kar rahi ho tum. Ruko main Sir se baat karti hoon.

Ranjana- Jawed Sir ne kaha hai ki Sir ne Aapko Waha aane ke liye mana kiya hai.


Sarita ne uski baat ka koi jawab nahi diya aur Ranjana, Janhavi aur Kaushal ko PS me Rukne ka nidesh dekhar waha jane lagi to Ranjana ne kaha.

Ranjana- Madam Aap kaha ja rani hain.

Sarita- Usi jagah Jahan danga bhadka hai.

Ranjana- Nahi madam Aap waha nahi ja sakti. Sir ka sakht nidesh hai ki aapko waha na aane diya jaye. Sir log to hain waha par wo sab sambhaal lenge. Waise bhi Jawed Sir ne bataya hai ki waha ka mahaul bahut kharab hai. Kuchh bhi ho sakta hai.

Sarita-Nahi Ranjana. Darne ki koi jaroorat nahi. Mujhe kuchh nahi hoga. Wahan Sir log to hain hi. Aur wo mera area hai to mujhe waha jana jaroori hai. Tum log yahi par rukna.

Ranjana- Lekin madam Sir ne aapko waha aane ke liye mana kiya hai.


Ranjana ke kahne ke baad bhi Sarita nahi rukti. Sarita ke jane ke baad Ranjana ne Jawed ko phone kiya, lekin Jawed ne phone nahi uthaya. Udhar Sarita jaldi se apni gadi me baithkar Us jagah Pahunchi Jahan par Danga bhadka tha.


Sarita ne dekha ki waha aurat bachhe aur mard Badi sankhya me ek doosre se bhide huwe hain. Kuchh ke hantho me banduk thi. To kuchh ke hantho me honcky stick aur dande. Kuchh log police par patthar baji kar rahe the.


Halanki police ne helmet pahan rakha tha. SSP Sir Mike lekar Logo ko shant hone ke liye bol rahe the, unhe samjha rahe the, lekin unki bato ka kisi par koi prabhav nahi pad raha tha. Pore ilake me arajakata jaisi sthithi paida ho gayi thi. Har koi marne maarne par utaru ho gaya tha.


Tabhi Sarita ka najar Ek Aadmi par padi jisne munh par kala kapda bandh rakha tha. Wo Aadmi ek police wale par gun se nishana laga raha tha jo us bhid par kabu pane ki koshish kar raha tha. Us Police wale ki pith Sarita ki taraf thi, isliye wo pahchan nahi payi ki wo police wala kaun hai.


Sarita ko kuchh samajh me nahi aa raha tha ki wah kya kare. Sarita ne socha ki agar wah goli chalayegi. To ho sakta hai ki goli ki aawaz sunkar bhid aur bhi jyada Ugra ho jaye, lekin agar wo goli nahi chalayegi tab bhi ek Police wale ki jan ja sakti hai aur bhid bhi ugra ho sakti hai.


Sarita ne do-tin baar Aawaz bhi lagayi, lekin bhid aur shor itna jyada tha ki Sarita ki aawaz us police wale tak nahi pahuch pa rahi thi. Sarita ko kuchh samajh nahi aa raha tha ki wo kya kare. Fir ekaek use paas mein ek danda pada huwa dikhayi diya.


Sarita ne us dande ko jhapat kar uthaya aur daudte huwe us Aadmi ke hanth par phenk diya. Nishana ekdan Satik tha. danda siddha us nakabposh ke hath par laga aur uski banduk chhutkar niche gir padi.


Sarita daudkar us police wale ke paas pahuchi aur jaise hi usne apne hanth se us police wale ke dhakka dene ke liye uske kandhe par rakhna chaha, isase pahle ki Sarita ka hanth us Police wale ke kandhe par padta, us nakabposh aadmi ne apni banduk fir se utha li aur us Police wale ke upar fire kar diya,


lekin tab tak Sarita Police wale aur goli ke bich me aa chuki thi. Goli Sarita ki pith par dayi taraf lagi aur aaaaaahhhhh ki tez aawaz waha par gunji. Sarita ka hath us police wale ke kandhe par padha aur sarita ke niche girte huwe fisalta huwa niche ki taraf jane laga.


Us Police wale ne piche ghoomkar dekha tab tak Sarita jameen par girne wali thi aur uski aankh band ho gayi thi. Jaise hi Us police wale ki najar Sarita par padhi Uske munh se ek jordar cheekh nikal gayi.


P.W.- Saritaaaaaaaa…aaaaaa


Ji haan ye police wala koi aur nahi balki Nishchal tha. Nishchal ne turant Sarita ko sambhal liya aur bola.


Nishchal- Sarita. Sarita. Aankhe kholo Sarita. Tumhe kuchh nahi ho sakta. Sarita Aankhe kholo apni.


Lekin Sarita ne apni aankhe nahi kholi. Ye dekhkar Nishchal ghabra gaya, Usne turant Jawed ko jaroori instruction dekar Sarita ko lekar apni gadi ke paas aaya aur Sarita ko gadi me baithakar khud uske sath baith gaya aur Driver ko Nazdiki hospital mein chalne ke liye kaha.


Nishchal ne pani ki botal lekar Sarita ke upar pani ke chheete mare Sarita ki aankh dhire se khuli aur fir band ho gayi. Nishchal Sarita ko jhinjhod jhinjhod kar baat kar raha tha taki uski aankh na band ho ye wo behosh na ho. Nishchal ki aankhe Sarita ko is halat me dekhkar nam ho gayi thi, lekin Nishchal ko is baat se koi fark nahi pad raha tha.


Uska Uniform bhi Khoon se jagah jagah ganda ho gaya tha. Use aaj Hospital ka safar milo ka lag raha tha. wo Kuchh anarth hone se pahle hospital pahuchana chahta tha. Nishchal ne Driver ko chillate huwe bola.


Nishchal- Bailgadi chala rahe ho kya. Thoda tez nahi chala sakte.


Nishchal ki aawaz sunkar Driver dar gaya aur usne gadi ki speed aur tez kar di. Thodi hi der mein wo hospital me pahuch gaya. Nishchal turant gadi se niche utra aur strature ka wait kiya bina hi sarita ko apni god me uthaya aur Hospital ke andar chala gaya.


Ab CO kisi ko hospital me lekar aaya tha to deri ka sawal hi paida nahi hota tha. Sarita ko turant Admit kar liya gaya. Doctor ne use bahar baithne ke liye kaha. Nishchal bahar baith gaya. Use subah ki baate yaad aane lagi jab nashte ko lekar dono ke bich tu tu main main hui thi. Jise yaad karke uski aankho se aanshu bahne lage.


Use yaad aane laga ki kaise subah Sarita usase chhid kar baat kar rahi thi. Kaise use chhed rahi thi aur abhi itni khamosh ho gayi hai. Use Sarita par gussa bhi aa raha tha ki uske mana karne ke baad bhi wo waha par kyon aayi.


Jab usase baitha nahi gaya to wo khada ho gaya aur bechaini se idhar udhar tahalne laga. Tabhi Doctor bahar aate hain to Nishchal daud kar unke paas jata hai aur pochhta hai.


Nishchal- (ghabrate huwe) Ab Sarita ki condition kaisi hai doctor sahab. Use kuchh hoga to nahi na. Wo thik to ho jayegi na.

Doctor- Abhi kuchh kah nahi sakte Sir. Hame 24 ghante tak wait karna hoga. Agar 24 ghante ke andar inhe hosh aaya to thik hai nahi to inki condition critical ho sakti hai. Abhi hame Inhe Opration ke liye OT (operation Theatre) me le jana hoga. Dekhne se lag raha hai ki goli bahut andar tak ghus gayi hai. Ham Apni taraf se poori koshish karenge ki Operation Safal ho jaye. Baki Bhagwan ki marzi. Tab tak Aap Kuchh jaroori formilitise pori kar dijiye.


Doctor ki baat sunkar Nishchal ki aankho se jhar jhar aanshu bahne lage. Usne Doctor ke samne hanth jod liye aur kaha.


Nishchal- Please Doctor Sahab. Sarita ko bacha lijiye. Kuchh bhi karke use bacha lijiye.

Doctor- Ham apni taraf se poori koshish karenge Sir. (Nurse se) Sister Opration ki taiyaari karo.


Ye bolkar doctor waha se chale jate hain. Unke pichhe pichhe nurse bhi chali jati hai. Nishchal wahi bechaini se tahal raha tha aur bhagwan se sarita ke liye man hi man prarthana kar raha tha. thodi der baad Nurse Nishchal ke paas aati hai aur kahti hai.


Nurse- Madam ke sath family ki taraf se koi aaya hai.

Nishchal- Nahi koi nahi hai main akela hoon.

Nurse- Hamein Opration karne se pahle is paper par sign chahiye the.

Nishchal- Laiye main kar deta hoon.

Nurse- Aap unke kya lagte hain.

Nishchal- Main unke sath kaam karta hoon. unka senior hoon. aur aapka jo bhi kam hai use thoda jaldi kar lijiye aur jaldi se operation kijiye uska.


Nishchal ki baat sunakr Nurse Use gaur se dekhne lagi aur man hi man sochne lagi.


Nurse- Bata to rahe hain ki madam ke senior hain, lekin bahut parwah hain inhe madam ki, ro bhi rahe hain, lagta hai bahut pyaar karte hain madam se ye.


Nurse ne Nishchal ko Paper de diya aur Nishchal ne us par sign kar diya. Papar lekar Nurse chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Top