Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 50


Subah ke kareeb 9 baje Sarita ko hosh aa gaya. Doctor ne jakar Sarita ka chack-up kiya aur gharwalo ko usase milne ki anumati de di. Sabhi Sarita se milne ICU mein ghus gaye.


NIshchal ki himmat nahi ho rahi thi ki wo Andar jaye isliye wo bahar hi ruka raha. Sarita ko Is halat me dekhkar Rani jii ke aankho se aanshu bahne lage. Rani ji ke alawa bhi jitne log the sabhi ki aankhe nam thi. Rani ji ko rota huwa dekhakr Sarita ne kaha.


Sarita- Maa. Aap ro kyon rahi hain. Plz Chup ho jaiye. dekho main thik hoon.

Rani ji- (Sisakte huwe) Kya thik ho tum. Hospital ke ICU mein leti hui ho aur bol rahi ho ki thik ho. meri jaan nikal gayi thi ye sunkar ki tumhe goli lagi hai aur tum kah rahi ho ki main thik hoon.

main shuru se hi tumhari is naukari ke khilaf thi. main nahi chahti thi ki tum ye naukari karo, lekin tum baap beti ne meri ek baat nahi mani. thodi bahut bachi khuchi kasar Manisha ne poori kar di. Aaj agar tumhe kuchh ho jata to tumhari maa ka kya hota tumne kabhi socha hai.

Sarita- Kya maa aap fir se shuru ho gayi. maine kitni baar kaha aapse ki ye bas ek dhun thi us samay jiske karan mujhe ye karna tha.

Rani ji- kya dhun thi tumhari. us dhun ke chakkar mein aaj tum hospital mein ho. tumhe bilkul bhi andaza hai ki tumhare papa aur main kitna ghabra gaye the.

Aanand ji- Are bhagyawan, Bitiya abhi abhi hosh me aayi hai aur tum ho ki usko dante ja rahi ho.

Raani ji- Aap to chup hi rahiye. ye sab aapke karan hi huwa hai. agar meri baat pahle hi maan lete to aaj ye sab na hota.

Aanand Ji- Waise bhi main tumhare aage kahaan bolta hoon.😃😂



Aanand ji ki baat sunkar Raani ji ne unhe aankh dikhaai to wo chup ho gae. Savi ne Rani ji ko samjhate huwe kaha.


Savi- Thik hai Aunty. Jab ye ghar par chalegi thik hokar to ise khoob datiyega. isne ham sab ko bahut rulaya hai. lekin abhi ise kuchh mat kahiye.


Rani ji ke hatne ke baad Manisha ne Sarita ko gale lagaya aur turant hi ICU se bahar aa gayi. Kyon ki use bahut tez ruwai aa gayi thi. ICU ke bahar aakar wo kursi par baith kar rone lagti hai.


thodi der rone ke baad wo Nishchal ko dhoondhne lagti hai to NIshchal use Corridor me khada huwa dikhayi deta hai. Manisha uske paas chali jati hai aur bolti hai.


Manisha- Aap yaha kya kar rahe hain boss. didiya se milne nahi gaye aap. kya aapko didiya se nahi milna.


Manisha ki aawaz sunkar Nishchal ne turant chashma pahan liya, lekin manisha ki bato ka jawab nahi diya to manisha ne fir se kaha.


Manisha- Main aapse kuchh pooch rahi hoon boss. aap didiya se milne kyon nahi gaye aur ye hospital mein aapne chashma kyon pahan rakha hai wo bhi kala chashma.

Nishchal- (haklate huwe) Wo… wo… haan wo mujhe conjunctivitis ho gaya hai. ( simpal shabdo mein ise aankh ka aana kahte hain.)

Manisha- Achha. lekin aap didiya se milne kyon nahi gaye.

Nishchal- Sab log to usase milne gaye huwe hain na. isliye main nahi gaya.

Manisha- Sab logo ki chhodiye aap apni bataiye ki aap didiya se milne kyon nahi gaye.

Nishchal- Are yaar chhote miya. tum to isi baat ke pichhe hi pad gayi ho. bheed bahut thi uske paas isliye main nahi gaya usase milne. ab khus.

Manisha- Bhadak kyon rahe hain boss. bheed thi ya aapki himmat hi nahi hui didya ka samna karne ki.

Nishchal- (niche dekhte huwe) Aise kuchh nahi hai. Mujhe himmat kyon nahi hogi.


Nishchal ne ye baat jameen ki taraf dekhte huwe kahi thi. Ye dekhkar Manisha ne aage badhkar Uska Chashma nikal liya. jisase Nishchal hadbada gaya aur uski taraf dekhne laga. Manisha ne Nishchal ki aankho me dekhte huwe kaha.


Manisha- Conjunctivitis to kahi dikh nahi raha hai. bas aankh lal hai aur aankho mein aanshu dikh rahe hain. jise dekh kar lag raha hai ki aap bahut roye hain aur raat bhar nahi soye hain.


Nishchal ko Manisha par is samay bahut gussa aa raha tha lekin wo apne gusse par control karte huwe kahta hai.


Nishchal- Haan wo raat bhar jag raha tha to isliye neend poori nahi hui.

Manisha- Aur ye aankho mein aanshu kisliye.

Nishchal- Are yaar Tumhe har baat batana jaroori hai kya. Jao yahan se.

Mansiha- Aap didiya se pyaar karte hain.


Nishchal ko Manisha se aise sawal ke ummeed katai nahi thi. Manisha ki baat sunkar Nishchal sakpaka gaya aur idhar udhar dekhne laga to manisha ne kaha.


manisha- Jawab dijiye boss.

Nishchal- Kya jawab doon.

Manisha- yahi ki aap didiya se pyaar karte hain ya nahi.

Nishchal- Nahiiii…… naa.. to.. nahi to aisa kuchh bhi nahi hai.

Manisha- Jhooth Kyol bol rahe hain boss. main aapko kal se notice kar rahi hoon. jab bhi didiya ki baat hoti hai aapke chehre ke bhav badal jate hain. kal se dekh rahi hoon ki kitni parwah hai aapko meri didiya ki.

kal se aapki harkato ko observe kar rahi hoon main. Infact jab main aapse pahli baar mili thi tab se note kar rahi hoon. aur aapki harkate yahi batati hain ki aap didiya se bahut pyaar karte hain. boliye boss main sahi kah rahi hoon na.

Nishchal- Mujhe kuchh kaam yaad aa gaya main aata hoon kuchh der mein.


Itna kahkar Nishchal Hospital se bahar chala jata hai. Usko jata dekhte huwe Manisha man me kahti hai.


Manisha- Bhagiye boos kitni door bhagkar jayenge. ek din aap khud kahenge ki aapko didiya se pyaar hai.



*****

Udhar Apne Adde par Raghu gusse mein tilmilaya huwa tha sur apne aadmiyon par bharosa huwa tha. Sarita ko goli lag gayi thi ye usase bardast nahi ho raha tha. Sath mein uska khas panter Heera bhi tha. Raghu gusse se chillate huwe Heera se Kaha.


Raghu- tum sab sale nikamme ho. Kisi kaam ke nahin ho. Mujhe to ye samajh mein nahin aa raha hai ki Use goli kaise lagi.

Heera- bhadak kyon rahe hain bhaai aap. Ham to pahle hi aapse mana kiye the ki ye sab mat karo. Lekin aapne hi meri baat nahi suni. Agar aap ye sab na karte to aaj ye sabkuchh nahi hota.

Raghu- Abe Sale hamko thodi hi pata tha ki Goli use lag jayegi. Jab tumne mujhe us din bataya tha ki Uske Sath Us CO ka bhi lafda chal raha hai to maine bahut soch samajhkar ye plan banaya.

Hamne Ye danga isliye karwaya ki Is dange Mein Us CO ko bhi Maar denge aur Ye area Tumhari Bhabhi ke thane mein aata hai to apna kam thik se na karne aur CO ki maut ka jimmedar mankar Uska tabadla kar diya jayega.

Lekin hamko thodi hi pata tha ki CO ko goli marte samay ye bich mein aa jayegi aur mera sara plan chaupat kar degi. Agar wo neta meri baat sun leta to ye danga karwane ki naubat hi nahi aati.

Heera- Dekho Bhaai ham to pahle hi aapse bol rahe the ki ye sab karke kuchh hasil hone wala nahi hain. Bhabhi ko utha lete hain. Lekin aap hi meri baat nahi mane aur baithe baithaye ek naya kand karwa diya aapne.

Raghu- Abe Mujeh kahe dosh de raha hai. Tu bhi to tha sale waha par. Tum bhi to nahi bacha paye apni Bhabhi ko goli lagne se.

Heera- Ab Hamko Kya pata tha ki Bhabhi bich mein aa jayegi. Agar mujhe pata hota to main Bhabhi ko waha jane hi na deta.

Raghu- Hamko dekhna hai use. Wo kis haal mein hai. Bahut khoon baha hoga uska. Hamko milne jana hai usase. Bahut yaad aa rahi hai uski Kuchh kar Heera.

Heera- Pagla gaye ho kya bhaai. Abhi to Usase bahar wala koi nahi mil sakta. Abhi na hi halat sahi hain aur na hi Unse milne ka wakt sahi hai. 24 ghante Bhabhi ke paas koi na koi rahta hi hai. Aur bina ID Proof ke unse kisi ko milne nahi diya ja raha hai. Waha jane ka matlab hai apne aapko khatre mein dalna.

Raghu- Mujhe kuchh nahi pata Heera. Mujhe usase milna hai matlab milna hai. Tum kisi tarah usase milne ka juwad karo mera.

Heera- Aap na Bhabhi ke ishq mein ekdam pret aatma ban gaye ho. har samay Bhabhi se chipke rahna chahte ho. Kuchh na kuchh to karna padega apke liye.


Abhi dono baat kar hi rahe the ki Raghu ka phone bajne laga. Raghu ne dekha to Bachha Singh ka phone tha. Raghu ne heera ko chup rahne ko bolkar phone receive kiya aur kaha.


Raghu- Pranam bhaiya.

Bachha- Pranam chhote. Tumne to ekdam dill khush kar dene wala kaam kiya hai chhote. Isiliye to ham tumko itna mante hain. Tum sher ho sher. Hamko shuru se Pata tha ki ye kaam tumhare alava aur koi nahi kar sakta hai. Isliye to hamne tumko is kam ke liye chuna. Tumne khush kar diya mujhe chhote. Jaldi aakar mujhse mil.

Raghu- (man masoskar) Ji bhaaiya Agar aap khush hain to ham bhi khush hain.

Bachha- Ab fir se waha ka kaam shuru karwa do. Us laundiya ke chakkar mein sare dhandhe ki maa bahan ek ho gayi thi. ab raste ka kanta saf ho gaya hai.

Raghu- Jii bhaiya Jaroor.


Itna kahkar Raghu ne phone rakh diya aur kuchh sochne laga.



*****

Idhar hospital mein kafi der lete lete Sarita ko Uub lagne lagti hai to wo Nurse se is bare mein bolti hai. Narse ne use Sahara dekar Pillo ke sahare baitha diya. Uska Sara Staff Sarita se milne ke liye aaya huwa tha. Rawat Sir bhi Sath mein aaye huwe the. Rawat Sir ne Sarita se poocha.


Rawat sir- Hey Brave Lady, Kaisi ho tum. Kaise feel kar rahi ho abhi.

Sarita- Sir main bilkul thik hoon aur Achha feel kar rahi hoon.

Rawat sir- Mujhe pata hai Beti. Tumhari himmat aur hausle kea age ye chhote mote hadse kuchh bhi nahi hain. Ab tum jaldi se thik ho jao aur apna PS Sambhalo.


Rawat Sir ki baat sunkar Sarita muskurane lagi. Janhavi ne kaha.


Janhavi- Madam Aap jaldi se thik ho jaiye. Aap ke bina PS suna suna sa lagta hai. Sabse badi baat to bina aapki dant suna kaam karne ka dil hi nahi karta.

Sarita- Achha ye baat hai. To aisa kiya karo ko PS jate samay mere paas hokar jaya karo. Main yahi tumhe dat diya karungi.


Sarita ki baat sunkar Sabhi hansne lage. Thodi der Sarita se milne ke baad Sabhi ICU se bahar nikal gaye. Nishchal bahar baitha huwa tha. Rawat Sir uske paas gaye aur kaha.


Rawat sir- Kaise ho beta.

Nishchal- Thik hoon Sir.

Rawat sir- Himmat rakho. Sab thik ho jayega.

Nishchal- Ji Sir.


Rawat Sir bhi Hospital se chale gaye. Sab ke jane ke baad nishchal ne Savi se kaha.


Nishchal- Di. Aap sabhi ko ghar le jaiye, Jab se aaye hain thik se so nahi paye hain. Khana bhi nahi khaya hai kisi ne. main yahan hoon abhi.


Nishchal ki baat sunkar Raani jj ne inkar karte huwe kaha.


Rani ji- Nahi beta main thik hoon. Main Sarita ke paas rukti hoon. Tum sab ghar jao.

Nishchal- Nahi Aunty. Aap jakar thoda aaram kar liye. Nahi to aapki bhi tabiyat kharab ho sakti hai. Main yahi par rahunga. Ye Shahar apke liye naya hai. Agar doctor ko kisi cheez ki jaroorat pad gayi to aapko pareshani hogi.

Rani ji- Lekin….

Savi- (baat kat-te huwe) Nishu sahi kah raha hai Aunty ji. Abhi ham logo ko chalna chahiye. Kha pi kar kuchh der aaram karne ke baad phir se aa jayenge ham log.

Nishchal- Di. Aap Raghav ke hath se Sarita ke liye thoda Sada khana bhi bhijwa dijiyega.

Savi- Haan. Main bhijwa doongi.


Savita sabko lekar ghar chali jati hai. Ab Hospital mein Nishchal akele tha. Sabke rahte huwe wo Sarita ke paas nahi gaya tha, lekin ab jab wo akela tha to Sarita se milna chahta tha, isliye wo Sarita ke ward mein chala gaya. Nishchal ne dekha ki Sarita apna hanth uthane ki koshish kar rahi hai. Use dekhkar Nishchal ne poochha.


Nishchal- Kuchh chahiye kya tumhein.


Nischal ki aawaz sunkar Sarita chauk jati hai aur Nishchal se bolti hai.


Sarita- Itni der kahan the aap. Mujhe dekhne kyon nahi aaye. Main aapki raah dekh rahi thi aur aapne aankho par ye kala chashma kyon pahan rakha hai.

Nishchal- Sab to yaha par the na. Isliye main nahi aaya. Aur ye kaha par likha hai ki hospital mein chashma pahan-na allow nahi hai.

Sarita- Nahi Kahin likha nahi hai, lekin main isliye kah rahi thi ki maine aapko iske pahle chashma lagate huwe nahi dekha.

Nishchal- (bahana banate huwe) Wo Conjuctivitis Hui hai mujhe. Isliye chashma lagaya hai.

Sarita- Achha. Itni jaldi kaise ho gaya Conjuctivitis. Abhi tak to nahi tha.

Nishchal- Abhi ye pooch tachh karna jaroori hai kya.

Sarita- Jaroori kyon nahi hai. Aap mujhe bataiye ki aapne chashma kyon lagaya hai.

Nishchal- Mera man. Main chahe jo lagaun tumse kya.

Sarita- Mujhe pata hai. Sisters ko impress karne ki koshish kar rahe hain na aap.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ko gussa aa gaya. Wo Sarita se gusse mein bola.


Nishchal- Bahut pata rahta hai tumhe sab. Lekin tumhe shayad ye pata nahi hai ki tum kitne ghanta behosh thi. Kya jaroorat thi tumhe waha par aane ki. Maine tumhe waha par aane ke liye mana kiya tha na. fir tum waha par kyon aayi.

Maine tumhe kitni baar kaha hai ki bina apne Staff ke ya mujhse pooche tum kahi nahi jaogi. Tumhe ek baar mein meri baat samajh mein kyon nahi aati. Agar tumhe kuchh ho jata to mera kya hota.


Nishchal ke andar Abhi tak jitna gussa daba huwa tha wo bahar foot pada. Aur is gusse mein wo bol gaya jise sarita ne pakad liya aur pooch baithi.


Sarita- Aap Itna chilla kyon rahe hain. Isme chillane wali kaun si baat hai. Main apni duty kar rahi thi. aur aapne abhi kya bola ki agar mujhe kuchh ho jata to aapka kya hota. iska kya matlab hai.


Sarita ki baat sunkar Nishchal bhi stabdh rah gaya. Use samajh me nahi aa raha tha ki ab wo Sarita ke is sawal ka kya jawab de. Lekin kuchh na kuchh to jawab dena hi tha. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Bas Koi baat pakadna aur Zid karna hi tumhe achhi tarah se aata hai. Tumhe har cheez majak hi lagti hain na. Tumhe goli lagi hai. Agar kuchh ulta siddha ho jata to jawab to mujhe dena padta na seniors ko, Afterall tum mere undar kaam karti ho. meri to naukari chali jati.

Sarita- Very Funny, mujhe kuchh nahi hota Samjhe aap.

Nishchal- Haan bahut badi antaryami ho na tumm. Jo tumhe pata hai ki kuchh nahi hota. (man me) Tumhe kya pata Sarita Agar tumhe kuchh ho jata to main jeete ji mar jata. Pata nahi kyon tumhe lekar mere man mein hamesha insecurity bani rahti hain. Shayad Raghav aur Chhote miya sahi bolte hain. Mere dil mein tumhare liye alag feelings hain. Shayad ye pyaar hi ho.


Nishchal apni socho mein hi gum tha. Sarita use aawaz de rahi thi, lekin use sunai nahi pad raha tha. Sarita ne tez aawaz lagayi to uska dhyan toota aur hadbadate huwe bola.


Nishchal- Han…woo… Kuchh kaha tumne.

Sarita- Main kab se aapko aawaz de rahi hoon, aap pata nahi kis duniya mein khoye huwe hain.

Nishchal- Nahi kuchh nahi. Ab tumari tabiyat kaisi hai.

Sarita- dikhayi nahi deta kya aapko. Jaisi bhi hoon aapke samne hoon.

Nishchal- Tum kisi sawal ka siddha jawab nahi de sakti ho kya. Har baat ko ghuma kar karna tumhari aadat ho gayi hai.

Sarita- Aap sawal hi aisa karte hain.

Nishchal- Thik hai tum aaram karo main bahar ja raha hoon.


Itna kahkar Nishchal bahar ki taraf chala gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 26


Tabhi phone fir se bajta hai. Sarita phone uthati hai aur hello bolti hai. Udhar tab tak phone cut ho chuka hota hai.


Udhar Is ghatna ki khabar poore shahar mein ho gai th. Nishchal is baat se anjan apne cabin mein batha kuchh jaruri kaam kar raha tha ki tabhi Nishchal ka phone bajne laga. Nishchal ne jab apna phone dekha to SSP ka phone tha, Usne receive kiya aur kaha.


Nishchal- Jai Hind Sir.

SSP- Jai Hind Nishchal. Pahle ye batao ki ye sab ho kya raha hai. Tumhare Undar kaam karne wali Sarita ye kya kar rahi hai. Aaj usne fir koi kand kiya hai.

Nishchal- kya baat kar rahe hain aap. Kya kand kiya usne. Mujhe iske bare mein koi jankari nahi hain.

SSP- (thoda gusse se) Ye tum kya bol rahe ho nishchal. Wo tumhare Undar mein hai aur tumhe hi ye nahin pata ki tumhari wo officer kya karti fir rahi hai. Aakhir tum kar kya rahe ho. Tum apne undar kaam karne wale ke upar niyantran nahi rakh pa rahe ho. Agar aisa hai to apni naukri chhod do samjhe. Hamare department ko tumhare jaise lazy officer ki koi jaroorat nahin hai.


SSP ki baat sunkar Nishchal ye samajh gaya tha ki jaroor sarita ne kuchh aisa kiya hai jiske karan SSP sir uske upar bhadak rahe hain. Nishchal ne SSP Sir se puchha.


Nishchal- ye aap kya kah rahe hain Sir. Aakhir sarita ne aisa kya kar diya hai jo aap mujhko naukari chhodne ke liye bol rahe hain.

SSP- (Gusse me) DDP, agar tumhe Apne Officer ki kartut ke bare me pata nahin hai to tum kis baat ke DSP ho. Tum News dekho pahle.


SSP ki baat sunkar Nishchal ne TV on kar di. News mein sarita ne jo kiya tha uski hi khabar dikhayi ja rahi thi. News dekhne ke baad Nishchal ne SSP se kaha.


Nishchal- Sir usne jo bhi kiya wo to bahaduri ka kaam hai na. Usne to department ka naam ucha kiya hai.


Nishchal ki baat sunkar SSP ko aur bhi jyada gussa aa gaya aur wo dahade huwe Nishchal se bola.


SSP- DSP. Ek to tum apni jimmedari thik se nahin nibha pa rahe ho aur upar se mujhe nasihat de rahe ho. Upar se phone aaya hai mujhe. Bina proper permission ki kaise is kaam ko anjam diya gaya. Kisne Permission di thi is kaam ke liye. Tum kisi kaam ke nahi ho.


Uske baad SSP ne Nishchal ko bahut khari khoti sunai. Yahan tak ki Use aur Sarita ko apni manmani karne ke karan Fired karne ki dhamki bhi de di. Jiske karan Nishchal ko Sarita ke upar bahut jyada gussa aa gaya, kyonki Aajtak uske kisi kaam par kisi bade adhikari ne ungli nahi uthayi thi.


lekin Sarita ke karan use mahine bhar ke ander Dusri baar SSP se dant sun-ni padi thi, uske baad to use kai bade adhikariyon ke phone aaye aur sabne Nishchal ko khari khoti sunai. Nishchal ko gussa is baat par jyada aa raha tha ki Sarita ne use is bare me batana jaroori nahi Samjha. Wo kam se kam use SSP ke phone aane se pahle bata deti to wo kisi tarah SSP ko deal kar leta. Yahi sab sochkar Nishchal Gusse se utha aur Sarita se milne ke liye chal pada.


Udhar Sarita ko dusri taraf se koi jawab na milne par wo phone rakhne hi wali hoti hai ki tabhi Nishchal gusse se tamtamaya huwa uske cabin me ghusta hai aur Uske hanth se phone chheenkar kaat deta hai aur receiver phone se alag rakh kar gusse se chillate huwe bolta hai.


Nishchal- maine tumse kaha tha na ki is case se door rahna. main ise apne tarike se handle karunga. to kya jaroorat thi tumhe Jhansi ki rani ban-ne ki. Kya aag lagi thi tumhare andar jo sab kuchh itni jaldbazi me kiya tumne.

Tumhe to bas yahi Ek thana sambhalna padta hai, lekin mujhe is jaise 6-7 thane sambhalne padte hain. main roj roj tumhare pichhe hi laga rahu kya. tumhe roj samjhata rahu ki tumhe kya karna hai aur kya nahi karna hai. tumhe pata bhi hai tumne jo kand kiya hai SSP Sir kitna gussa ho rahe hain mujhpar. tumhe koi baat ek baar me samajh me nahi aati hai kya.


Sarita- (gusse me) Kya samjhu main aapka. haann boliye…. kya samjhu main. kab handle karte aap is case ko. jab ye sari ladkiya shahar ke bahar chali jati tab handle karte aap. ya jab in sari ladkiyo ko kisi kothe par bech diya jata tab handle karte aap is case ko. ya tab handle karte aap is case ko jab ye ladkiya kisi hawasi ke bister ki shobha badha rahi hoti. ya tab handle karte aap is case ko jab inki naak, kaan, aankh, kidni, gurde nikal kar bech diye jate. ya tab handle karte aap is case ko jab inhe bheekh mangne par majboor kar diya jata. ya tab handle karte aap is case ko jab in ladkiyon ko human bumb banakar use kiya jata. bataiye. kab handle karte aap is case ko. apne tarike se handle karne ki baat karte hain.

Nishchal- Stop this Miss Joshi. tum hosh me to ho. tum kya bole ja rahi ho tumhe kuchh pata bhi hai.

Sarita- haan main bilkul hosh me hoon, lekin shayad aap hosh me nahi hain. Agar main aaj 15 minute bhe late ho jati to……. to main sabhi lakiyo ko kho detiii…main dadi se kiya huwa apna wada nahi nibha pati. main bilkul hosh me hoon aur kya bol rahi hoon ye bhi mujhe pata hai.


Sarita ki baat sunkar Nishchal Use ghoor kar dekhne laga to Sarita ne kaha.


Sarita- Aise ghoor ghoor kar kya dekh rahe hain aap. aapko kya lagta hai ki aap dadi ko apne ghar me chhupakar rakhoge aur mujhe pata bhi nahi chalega. to ye aapki bhool thi. main unse mili thi. aur unhone mujhe sara sach bata diya. wo badi ummeed ke sath mujhse bol rahi thi ki main unki Gudiya ko unke paas le aaun. isliye main unka kahna nahi taal saki aur maine unse wada kiya ki main Unki gudiya ko unke pass le aaungi. maine aaj apna wada nibhaya.

Nischal- (gusse se) Maine tumhe unse door rahne ke liye kaha tha. uske baad bhi tumhari itni himmat pad gayi ki tum chori chhupe mere ghar me ghuskar unse mili.

Sarita- main aap se darti nahi hoon samjhe aap aur na hi main koi doodh piti chhoti bachhi hoon. jo aap mujhe bolenge ki Sarita ye karo to main karne lagungi. Sarita wo karo to main karne lagungi. mujhe bhi aapki tarah hi training deker duty ke liye bheja gaya hai. jitna hak aapka hai apne under kam karne wale thane ke bare me dekhne ka. usta hak mujhe bhi hai apne PS ke bare me nirnay lene ka. Isliye aap mujhe bachhi samajhne ki bhool mat kijiye.

Nischal- (chillate huwe) Tumhe meri baat samajh me kyon nahi aati. ye tum jo kand karke aayi ho iski news poori media me phail chuki hai aur sabse badi baat ye hai ki tumhare aur tumhare kuchh staff ke sivay is kand ke bare me koi nahi janta. wo sab to chhodo. tumne ek baar mujhe bhi batana jaroori nahi samjha.

Sarita- Achha. main itni pagal dikhti hoon kya aapko. agar main aapko batati to kya aap mujhe permission dete kya aisa karne ki. jisne mujhe dadi se milne ke liye mana kar diya. wo mujhe is kam ke liye permission kabhi nahi deta. isliye maine aapko kuchh nahi bataya.

Nishchal- (gusse se) Tumhe ye sab ek majak lag raha hai. Tumhe kya lagta hai ki ek bachha singh ko pakad lene se ye poora case solve ho jayega. tumare paas dimag hai bhi ya nahi. tumhe itni chhoti si baat kyon samajh me nahi aati ki bachha singh ek pyada hai. raza to kahi aur baithkar apni bisat bichha raha hai.

lekin tun thahri bail buddhi. tumhare upar to bas Bachha singh ko pakadne ka bhoot sawar hai. lekin tum ise jitna aasan samajh rahi ho ye itna aasan bhi nahi hai. Tumhe ye samajh me nahi aata ki Kaluwa jaise mamuli se gunde ke liye tumhare paas phone aata hai use chhodne ke liye. to bachha singh ko pakadkar tum use lock up me rakh paogi.

lekin tumhe samjhane se koi matlab nahi hai. subah se tumhari wajah se mera dimag ekdam kharab ho gaya hai. Mujhe upar se itne phone aa rahe hain ki main phone utha uthakar pareshan ho gaya hoon. ye sab tumhari wajah se huwa hai. ab tumhi unke sawalo ka jawab dena.

Sarita- Maine koi gunah nahi kar diya hai jiski wajah se aap mujhe itna kuchh suna rahe hain. aapko aur upar ke officers ko to mere is kaam se khush hona chahiye. mujhe appreciate karna chahiye. lekin aap to mujhe hi doshi thahra rahe hain. aap jaise police officers ki wajah se hi ye log inte swachhand aur bina kisi dar ke apne kam ko anjam dete hain. aap jaise police walo ke hi karan janta ka vishwas police par se uth gaya hai. isiliye koi madad ke liye police ke paas nahi aata.

Nishchal- (gusse se chillate huwe) Stop this nonsence. tumhe samajh me aa raha hai ki tum kya bol rahi ho. main ye baat bilkul bhi tolerate nahi karunga.

Sarita- (gusse se) main Kyon chup ho jaun. main chup nahhi houngi. Sach sabko kadwa lagta hai lekin sach yahi hai. aapko sharam nahi aati. aap besahara aur madad ke talabgar logo ki help karne ke bajay in do take ke gundo ke talve chat rahe hain. inhi logo ki sewa ke liye aapne ye vardi pahni hai na. bhale hi aapka aur mera manmutav hai lekin main aapko ek achha aur imandar police officer samajhti thi. lekin main galat thi. aap ne bhi chand paiso ke liye apna iman bech diya. thuuu hai aap jase currept officer par. lekin main bikau nahi hoon. main us bachha singh ko chhodungi nahi.

Nishchal- (apna aapa khote huwe) Bas Miss Joshi. Bahut jyada bol diye tumne aur bahut jyada sun liya maine. ab iske aage ek lafz bhi mat bolna.

Sarita- (dahadte huwe) main kyon bas karu. main bolungi. mujhe koi nahi rok sakta. main sach bol rahi hoon to mirchi lag rahi hai. aaj aap jaise currept officers ki wajah se hi police department badnam hai. aap jaise logo ke kanan hi corruption bahdta hai. aap jaise log ya to paise lekar gundo ko riha hai dete hain, ya upar se apne wale apne aakaon ke phone par gundo ko chhod dete hain.

Aap log ye bhi nahi sochte ki wo gunda bahar nikalkar fir se kitne logo ko nuksan pahuchayega. agar pahle hi bachha singh jaise gundo par lagam lagayi gayi hoti aur use saza dilwayi gayi hoti ho aaj ye naubat hi nahi aati. wo police ke sath chuhe billi ka khel nahi khelta. mujhe to lagta hai ki aapke sath sath SSP Sir, DGP Sir aur usase bhi bade officers sab log unse mile huwe ho.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne apna control kho diya aur ek jhannatedar thappad Sarita ke gal par jama diya. Wo Sarita par hanth nahi uthana chahta tha. Usne aaj tak kisi ladki ke upar hanth nahi uthaya tha, lekin Sarita chup hone ka nam hi nahi le rahi thi aur jo bhi man me aa raha tha wo bole ja rahi thi. Nishchal ko Sarita ko chup karane ka isase achha rasta koi najar nahi aa raha tha. lekin Use nahi pata tha ki Sarita uske thappad se chup hone walo me se nahi hai.


Nishchal- enough is enough. bahut ho gayi tumhari bakwas. iske aage ek shabd aur mat bolna nahi to tumhare liye bilkul bhi achha nahi hoga.


Nishchal ne thappad bahut jor ka mara tha. jiske karan uski ungliya Sarita ke galo par chhap gayi thi, Sarita ki aankho se aanshu nikal rahe the. Sarita ne Nishchal se kaha.


Sarita- Kya achha nahi hoga mere liye. Kya kar sakte hain aap log mera. Jyada se jyada mujhe suspend kar denge aur kya. Aap jaise log kar hi kya sakte hain. kar dijiye mujhe suspend. mujhe koi fark nahi padta. Kam se kam mujhe is baat ka malal to nahin rahega ki maine apni vardi ke sath insaf nahi kiya. Aap jaise bikau logo ke sath kam karne se to achha hai ki aap mujhe suspend hi kar dijiye. agar main job me rahi to main bachha singh ko nahi chhodungi chahe kuchh bhi ho jaye.


Itna Kahkar Sarita Apne cabin se bahar nikal gayi. Sarita ke jane ke baad Nishchal ko ye aabhas ho gaye ki use Sarita ko thappad nahi marna chahiye tha. aakhir usne koi jurm to nahi kiya tha. usne kaam to Shabashi wala hi kiya tha. Sarita ke jane ke baad Nishchal ne socha ki wo Sarita se mafi mang lega. yahi sochkar jaise hi wo bahar nikla. Rawat Sir ne use bula liya.


Rawat Sir- Kya tha ye sab Beta. Sarita beti rote huwe PS se bahar gayi hai. aur tum dono itna chilla chilla kar kyo baat kar rahe the. Tum dono ke chillane ki aawaz bahar tak aa rahi thi.

Nischal- Kuchh nahi sir. Aaj jo bhi kand kiya hai usne usi ke bare me usase puchh raha tha. aapko iske bare me kuchh pata hai

Rawat Sir- Nahi bata. mujhe to iske bare me kuchh bhi pata nahi. balki main to khud Sarita se poochna chah raha tha iske bare me.

Nishchal- Sirf aapko hi nahi. usne mujhe bhi kuchh nahi bataya is bare me. pata nahi kyon wo samajh hi nahi rahi hai ki wo is matter ko jitna aasan samajh rahi hai. ye utna aasan nahi hai. lekin wo koi baat sun-ne ke liye taiyar hi nahi hai. maine use is matter se door rahne ke liye kaha tha, lekin usne meri baat ko ignore kar diya.

Rawat Sir- Jane do Beta. Abhi wo nai nai aai hai. use in sab ke bare me jyada pata nahi hai. use kya pata ki jin logo se wo sidhe bhidne ja rahi hai us logo se bade bade officers bhi samna karne me katrate hain. dhire dhire uske samajh me bhi ye baat aa jayegi.

Nishchal- Wo itni bhi nasamajh nahi hai jitna wo apne aapko dikhati hai. uske dil me kuchh aur aur dimag me kuchh aur chalta hai. mere mana karne ke baad bhi wo nahi mani.

Rawat Sir- Use uske hall par chhod do beta. abhi jaisa chal raha hai waisa hi chalne do. baad me iske bare me kuchh sochte hain.

Nischal- wo to thik hai Sir. Lekin Mujhe baar baar SSP Sir ke phone aa rahe hain. wo to mujhse hi sawal kar rahe hain na. wo pooch rahe hain ki ye opereation kiski parmission se kiya gaya hai. ab aap hi bateiye main unhe kya jawab doon.

Rawat Sir- To unse bol do na ki tumhare paas utna samay nahi tha ki tum unse is bate me discuss karte. isliye tumne Sarita ko permission de di. ya main aapko batane wala hi tha, lekin ye Achhanak se ho gaya isliye aapko nahi bata paya. aisa koi bahana bana do unse. wo tumhari baat jaroor samjhenge.

Nishchal- Ab kuchh bhi nahi ho Sakta. Agar is ladki ne mujhe thoda bahut bhi iske bare me bataya hota to main SSP Sir ko sambhal leta, lekin mujhe to kuchh pata hi nahi tha iske bare me to SSP Sir ke phone karne par maine unhse bol diya ki mujhe kuchh pata nahi hai is bare me.

Rawat Sir- (sochte huwe) Dekho Nishchal beta, AB is tarah chillane se ya ladne jhagadne se kuchhh nahi hoga. Abhi thoda dimag ko apne shant rakho aur jaise chal raha hai waise chalne do. baad me dekhte hain ki kya karna hai.


Nischal Rawat Sir ki baat se sahmati jatakar PS se bahar nikal jata hai. Udhar Sarita Nishchal se lad-jhagad kar Sidhe hospital pahuch gayi jahan par Sabhi ladkiyo ko bharti karwaya gaya tha. Wah sidhe Doctor ke cabin me pahuch gayi aur boli.


Sarita- Ab kaisi tabiyat hai Ladkiyo ki doctor.

Doctor- Ye sab pahle se thoda thik hai. lekin itni bhi nahi ki Inhe yaha se discharge kiya ja sake. abhi inhe kam se kam do din aur rakhna padega.

Sarita- Waise Doctor. Ek baat bataiye inki is halat ke pichhe kya wajah ho sakti hai.

Doctor- Madam, Inhe Behoshi ke injection ke sath koi nashila padarth diya gaya tha. jiske karan inki aisi halat hui hai. lekin ab sab thik hai. do din baad inhe discharge mil jayega.

Sarita- Thank you Doctor. Kya main unse mil sakti hoon.

Doctor- Ji jaroor mil sakti hain

Sarita Doctor ke cabin se nikal kar Ward me jati hai jaha ladkiyo ko admit kiya gaya tha. ladkiya Abhi so rahi thi. Sarita jakar ek kusri par baith jati hai jo wahi par paas me lagi hoti hai. Sarita Sabhi bachhiyo ko dekhkar sochne lagti hain

Sarita- Sab bachhiya kitni masoom dikh rahi hain. inki umar bhi jyada se jyada 15 varsh ke bhitar hi hai. Inhone to abhi thik se duniya bhi nahi dekhi aur wo kamine inki duniya hi ujadne chale the. pata nahi ye sab kaha se pakadkar layi gayi hain. Pata nahi inke gharwale kaise hain. Unke upar kya beet rahi hogi.

agar main thoda sa bhi late ho jati to bahut bada anarth ho jata. Us hitlar ko ye chhoti si baat samajh me nahi aati. Use lagta hai ki maine galat kiya hai. galat to tab ho jata agar maine kuchh kiya na hota. Ab chahe jo ho, meri job rahe ya jaye mujhe koi parwah nahi hai. kam se kam mujhe jeevan bhar is baat ka malal to nahi rahega ki maine apna farz nibhane me aanakani ki.


Yahi sab sochte huwe Sarita Ward me baithi hui thi. dhire dhire Dawai ka asar khatam hone lagta hai aur ladkiyo ki aankh khulne lagti hai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Nischal ne yaha Ek baar bhi ye nahi kaha ki sarita ne galat kiya un ladkiyon ko bacha kar but usey sirf itna karna tha ki ye sab kaand hone ke Baad ek baar iski info Nischal ko dede but sarita madam to kuch sunne ko tayyar hi nahi hai unhe lagta ki sirf wo hi ek Imandar hai aur sirf wo hi ek police officer jo apna kaam kar rahi hai usey is Baat ki bhi jankari nahi hai ki har kaam ka apna ek system hota hai usne jo kiya wo sahi tha but ye bhi uska hi kaam hai ki wo isko info apne seniors ko bhi de kyunki jo seniors wo bhi police officers hi hai na ki koi aur rah chalte log.
Bina kisi sonch samajh ke usne Nischal par itne arop laga diye usne ye bhi nahi soncha ki jo banda khud pore case ko handle kar kar usey begunah sabit kar sakta hai jo banda dadi ko khud ki protection mai hifazat se rakh sakhta hai kya wo agey ke barey kuch sonch nahi sakta kya wo aise hi dadi ko apne pass rakhega bina unki natin ko milaye.
Yaha sarita sirf josh se kaam le rahi hai aur is josh mai usey ye samajh nahi araha hai ki yahi josh kahi Baad mai ulta pad jaye jab sab hi usey Keh rahe hai ki bacha Singh koi mamuli gunda nahi hai aise mai usey har chiz planning ke sath hi karni chahiye naki josh josh mai.
Overall Great Update
BRAVO 🙌
 
Member
324
1,026
93

UPDATE- 27


Jab ladkiyon ki neend khulti hai to Sarita Sabse milne jati hai, Pahle to Sabhi Sarita ko dekhkar Darti hain, lekin Bad me normal ho jati hain. Sarita unse baat karne lagti hain. Sabhi ka naam jan-ne ki koshish karti hai. Un sab me Dadi ki natin bhi thi.


Sarita Sabhi se baat karke bahut khush thi aur wo thodi der pahle Nischal ke sath huwe jhagde ko lagbhag bhoot hi gayi thi. Sabhi ladkiya aaj bahut din baad Sarita ke sath khulkar hans rahi thhi. thodi der unke sath rahne ke baad Sarita Hospital se bahar aa gayi aur phone karke Hospital me Ladkiyon ki suraksha ke liye do hawaldar tainat kar diye.


***********

Boss Apni chair par baitha Aaj ke ghatnakram ke bare me soch raha tha. Use jaise bharosha hi nahi ho raha tha ki Sarita Uske dhandhe ko Chaupat karne par tuli hui hai. Itne kam samay me Sarita ne uska bahut jyada nuksan kar diya tha. Ab wo Sarita ko apne rashte se hatane ki tarkeeb dhoondh raha tha. Tabhi Uske paas me rakha uska mobile baja.


Phone karne wala Sarkar tha. Sarkar ka naam Apne mobile ki Screen par dekhkar Uske mathe par bal pad gaye. Wo sochne laga ki ab Sarkar ke sawalo ka kya jawab dega wo. lekin phone to uthana hi tha. Boss ne phone uthaya to udhar se Sarkar ki kadakti aawaz uske kano me padi.


Sarkar- Boss. Ye sab kya ho raha hai. Ek bhi kam tum log dhang se nahi kar pa rahe ho.

Boss- Sarkar. Kam to Abhi tak Achhi tarike se huwa hai apna. Lekin jab se ye nayi Lady Inspector aayi hai. Tab se Iski buri najar lag gayi hai apne kaam ko. Isne apna Caroro ka maal pakad liya Aur aaj to Isne Apne ek aur dhandhe ka bhanda phod diya aur Sari ladkiyo ko chhudakar le gayi.

Sarkar- Maine tumse Kitni baar kaha hai ki Jo bhi kaam karo Ekdam Mustaidi se karo, lekin tum aur tumhare aadmi Koi na Koi galti kar hi dete hain. Usne itni bada Plan banaya aur tumko Uski bhanak bhi nahi lagi.

Boss- Mujhe Sach me kuchh bhi pata nahi Chala. Are Mujhe Kya Sarkar. Uske saath kaam karne wale Kisi bhi aadmi ko Uske Is plan ke bare me bhanak nahi lagi. Bas Jo uske plan ka hissa the. unko chhodkar.

Sarkar- hhhhmmmmmm. Apne Sabhi pantaro ko alert karo aur Is Inspector ka koi permanent bandobast karo. Agar aisa hi chalta raha to bahut jaldi ham log katora lekar bheekh mangte huwe najar aayenge. Samajh gaye na. Aage se mujhe Apne dhandhe me nuksan nahi chahiye.

Boss- Ji Sarkar. Main karta hoon kuchh Iska. Aap nischint rahiye. Aage se aapko shikayat ka mauka nahi milega.


Boss ki baat sunkar Sarkar ne phone rakh diya. Sarkar ke Phone rakhne ke baad Ne Kisi ko phone kiya.


******************

Hospital se nikalne ke baad do hawaldar ko waha ki suraksha me khadi karke Sarita PS ke liye nikal gayi. Raste me Sarita ka phone bajne laga. Mobile Screen par Savita ka naam dekhkar Sarita na apni gadi kinare khadi ki aur phone pich kiya.


Sarita- Hello di. Kaisi hain aap.

Savi- Main Achhi hoon. tum kaisi ho aur kaha par ho.

Sarita- Main bhi bahut achhi hoon di. bas Kisi kaam se bahar aayi thi. Aap bataiye kuchh kaam tha kya.

Savi- Sabse pahle to tumhe congratulation Sarita. tumne bahut bahaduri ka kam kiya hai. Ham to tumhare fan ho gaye hain.

Sarita- Thank you di. Ye to mera farz tha di. aakhir is ke liye hi to mujhe ye wardi di gayi hai. Waise ye sab chhodiye aap kuch kahne wali thi.

Savi- Kal hamare NGO ki taraf se Bachho ke liye ek function rakha gaya hai aur main chahti hoon ki tum usme shamil ho. Tum aaogi to bachho ka hausla badhega.

Sarita- wo to thik hai di. lekin main kaise aa sakti hoon. aapko to pata hai ki mujhe kitni vyastata hai aajkal.

Savi- (narajagi ke sath) Kyon nahi aa sakti ho tum. Aur maine tumse aane ke liye request nahi ki hai. maine tumhe aane ke liye order diya hai Samjhi. to ab apna jyada dimag mat chalao.

Sarita- (hanste huwe) Thik hai di. main poori koshish karungi aane ki. aap address send kar dijiye.

Savi- Koshish nahi tumhe aana hi padega. agar tum nahi aayi to samajh lena fir. main address send kar rahi hoon.


Sarita phone rakhne ja rahi thi tabhi uske dimag me kuchh aaya to usne Savita se kaha.


Sarita- Di Aapse mujhe ek help chahiye.

Savi- Haan Sarita bolo.

Sarita- Di aapko to pata hai ki operation ke dauran maine 12-13 Ladkiyo ko chhudaya hai. Jinko gambhir halat me hospital me admit kiya gaya hai. do din baad unko discharge kar diya jayega. to main soch rahi thi ki jab tak unke parents unhe aakar le nahi jate tab tak Unhe aap apne NGO me rakh lein.

Savi- Ye bhi koi kahne ki baat hai Sarita. main itna to kar hi sakti hoon. jab unko discharge mile to mujhe bata dena.

Sarita- Thank You di. aap bahut achhi hai di.

Savi- Di bhi bolti ho aur thank you bhi bolti ho. ye achhi baat nahi hai. chalo thik hai kal milte hain fir. Apna khyal rakhna

Sarita- Aap bhi di. Bye.

Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya aur PS ke liye nikal gayi.


**************

PS se 5 Kilomiter door ek sunsan jagah par Bachha Singh, Kaluwa, Shambhu Aur Raka baithe huwe the. Aaj ye Sab Us khandahar me na milkar Yaha milne ka dicide kiye the. Charo ke chehre par pareshani Saaf jhalak rahi thi. Kuchh sochte huwe Bachha singh ne kaha.


Bachha Singh- Main Is Inspector ko chhodunga nahi. Iske karan mera bahut Nuksan ho raha hai.

Kaluwa- Haan bhai. Sali bahut hi kadak mijaj Aurat hai. Kisi ki baat nahi sunti. Abhi kuchh samay pahle thane se Hamka pata chalal hai ki Aaj uski aur Us inspector ki ladai Hua hai. Jis Inspector ne Oka Rishwat wale case se bachaya tha.

Bachha Singh- Kya baat kar raha hai be tu. Lekin Ladai kahe liye hui thi.

Kaluwa- Usne bina kisi ko bataye Hi hamare thikane par chhapa mara tha aur Un ladkiyo ko chhudakar le gayi. Ihi baat pe dono aapas me bhid gaye the.

Bachha- Ye to bahut achhi baat hai. Matlab Ab wo Inspector bhi uske sath nahi hai. Hamko jaldi hi Is ladki ka kuchh karna padega.


Abhi Ye sab aapas me baat kar hi rahe the ki Bachha singh ka phone bajne laga. Screen par Naam dekhkar Bachha singh ke pasine chhutne lage. Usne darte huwe phone uthaya.


Boss- Aur bachha bhai. Kya hal chal hain tumhare. Sab thik to hai na.

Bachha- Boss. ye aap kya bol rahe hain. aapko to sabkuchh pata hi hai .

Boss- (gusse se) Sabkuchh pata hai tabhi to Puchh raha hoon tujhse main. Tum log ekdam nikamme aur kamchor ho gaye ho. Ek bhi kaam tum logo se thikk se nahi hota.

Bachha- Hamne apna kam bahut hi Savdhani ke sath kiya tha, lekin pata nahi use kaise khabar lag gayi aur usne ye kand kar diya. Hamko bhi khabar mili thi ki wo Ladkiyon ko khoj rahi hai, lekin jab tak ham kuchh kar pate tab tak usne wo gadi pakad li.

Boss- Kyonki wo tum logo se jyada chalak aur shatir hai. tum log kisi kaam ke nahi rah gaye ho. Tum Logo ke karan mujhe Sarkar ki Dant sun-ni padti hai. Jaldi se kuchh karo Is ladki ka. Nahi to main tum logo ke bare me kuchh soch lunga fir. jo tum logo ke liye achha nahi hoga. Raghu ko phone karo aur use bulao. Ab ye kam Tum logo ke bas ka nahi rah gaya hai. ye kam raghu hi kar sakta hai.

Bachha Singh- Ji boos. main abhhi bhai ko phone karke aapka sandesh unhe deta hoon.


Boss ne phone rakh diya. Bachha phone rakhne ke baad Gusse se chillaya.


Bachha- Is Sali Laundiya ke chakkar me Mujhe kitni bate sun-ni pad rahi hain.



*********

Savi se baat karne ke baad Sarita PS pahuch gayi. Jab Sarita Waha pahuchi to usne dekha ki wo apna sarkari phone jo PS se jate vakt jaldi jaldi me PS me hi bhool gayi hai uspar aur office ke phone par aa rahe call ko uthane me Janhavi ulajhi hui hai. Sarita ko ye dekhkar halki si hansi aa gayi. Sarita andar jakar apni chair par baith gayi. Sarita ko dekhte hi Janhavi ne kaha.

Janhavi- Thank God madam, Aap aa gayi. main to phichale kitni der se phone utha utha kar pareshan ho gayi thi. kis kis ke sawalon ka jawab doon. mujhe samajh me nahi aa raha tha.

Sarita- Tumhe phone receive karne hi nahi chahiye the Janhavi.

Janhavi- Main to uthana hi nahi chahti thi phone, lekin ye kab se baje ja rahe the, isliye majbooran mujhe phone uthana pada.

Sarita- Tum nahi uthati to kuchh der baad apne aap hi phone aana band ho jata.

Janhavi- Achha ye sab chhodiye madam, pahle ye bataiye ki sabhi bachhiya kaisi hain. doctor ne kya kaha.

Sarita- Sabhi bilkul thik hai Janhavi. Doctor ne kaha hai ki do din ke baad unhe discharge kar denge. Tumhe pata hai sab bahut hi cute hain aur bahut hi pyari pyari batein karti hain.

Janhavi- Tabhi to aapka mood ekdam thik lag raha hai. Nahi to Jis tarah se gusse me aap PS se gayi thi. Use dekhkar to ek baar ko mujhe bhi aapse dar lagne laga tha.

Sarita- Are isme darne ki kya baat hai. us samay bas thoda gusse me thi. wo gussa to Bas Us Hit… matlab Sir ke liye tha. tumhe mujhse darne ki koi jaroorat nahi hai. Achha tumhe ek kam karna hai.

Janhavi- Ji madam boliye.

Sarita- New Channel me Sabhi bachhiyo ki photo bhijwa do aur News Jari karwa do aur thane ka Address aur mera Phone Number bhi de dena. Jinki bachhiya hain kam se kam unko pata to chal jaye ki unki bachhi ab surakshit hain aur yahan par hain. Sath me ye bhi News me dal dalwa dena ki bachhi ki photo aur ID Proff sath me lekar aaye.

Janhavi- Thik hai madam. main aaj hi ye kam kar deti hoon.


Itna kahkar janhavi bahar chali gayi. Uske bahar jane ke baad Sarita ne Kaushal ko apne cabin me bulaya. Kaushal Sarita ke paas aaya aur bola.


Kaushal- Ji madam. Aapne mujhe bulaya.

Sarita- Haan Kaushal ji. Kuchh bataya usne Bachha Singh ke bare me.

Kaushal- Abhi tak to kuchh nahi bataya madam.

Sarita- thik hai. Aap apna kam chalu rakho aur uski khuraki thodi si aur badha do.

Kaushal- Thik hai madam.


Kaushal ke jane ke baad Sarita ne kuchh der PS ka kam kiya fir uske baad der raat wo PS se nikali aur Apne Quarter jane ke bajay Hospital chali gayi. Sabhi ladkiya Sarita ko dekhkar bahut khush hui. Sarita ne Sabhi se batcheet ki. tabhi Sarita ka phone bajane laga. Sarita ne phone dekha to Manisha ka phone tha. Sarita ward se bahar corridor me aakar phone uthaya.


Sarita- Hey manisha. kaisi hai tu.

Manisha- Main achhi hoon didiya. aap kaisi ho.

Sarita- main bhi bahut achhi hoon.

Manisha- Kya baat hai didiya. tum to bahut famous ho gayi. Har jagah tumhare hi charche ho rahe hain. I am Proud of You didiya. tumne bahut hi bahaduri ka kam kiya hai.

Sarita- Ye to mera Farz tha manisha. main Ye sab tumhare pyaar aur mummy papa ke aasirvad ke karan hi kar paayi. mummy papa kaha par hain.

Manisha- yahi par hain. lo baat karo.


Itna kahkar manisha ne phone speaker dal diya. Aanand ne Sarita se kaha.


Aanand ji- Kaisi ho meri beti.

Sarita- Main bahut achhi hoon papa. aap kaise hain aur mummy kaisi hain.

Rani ji- Ham dono bhi bahut ache hain Sarita. Achha ye bata apne birthday par aa rahi hai na hamare paas.

Sarita- Kya mummy. aap abhi tak wahi atki hui hain. maine dophar me hi aapko bata diya tha ki main nahi aa paungi. mujhe bahut kaam hai PS me.

Rani jii- Kaam to hamesha hi karna hai tujhe. Ek din ke liye aa jao fir chali jana.

Sarita- Papa aap samjhaiye na mummy ko. mujhe sach me bahut kaam hai nahi to main aa jati.

Aanand ji- Thik hai beta. tum pahle apna kam poora kar lo. kaam jyada jaroori hai. Birthday Is sal nahi to agle sal mana lenge.

Raani ji- Aap bhi na. Use bulane ke bajay mana kar rahe hain aane ke liye. aapne hi use bigad kar rakha hua hai.

Aanand ji- Tum apni mummy ki bato par dhyan na do beti. tumne aaj jo kaam kiya hai. usase main bahut khush hoon beti. tumne mera sir garv se ucha kar diya hai beti.

Sarita- Ye sab aapke aur mummy ke aashirwad ke karan hi sambhav hua hai papa. Achha papa abhi main un ladkiyo ke sath hospital me hi hoon. main phone rakhti hoon baad me baat karungi.

Aanand ji- Thik hai beti.


Ina kahkar Aanand ne phone rakh diya. Sarita apna phone rakhkar corridor me hi tahalne lagi. Tabhi Use Nishchal Aata huwa dikhai diya. Sarita ne use dekhkar apna munh doosri taraf fer liya aur waha se jane lagi. Sarita ko andaza nahi tha ki Nishchal waha par aayega.


same yahi setuation Nishchal ki bhi thi. Use bilkul bhi andaza nahi tha ki Sarita Is samay Hospital me milegi. wo to bas Ladkiyon ki hall khabar lene aaya tha. Sarita ko waha dekh Nishchal sochne laga.


Nishchal- (Man me) Kya yaar ye yaha par hai. Lagta hai abhi bhi mujhse naraz hai. lekin main kya karun. main aisa kuchh karna to nahi chahta tha lekin main majboor tha.

Sarita- (man me) Ye yaha par kya kar raha hai. Main to isase baat hi nahi karungi ab.


Nischal chalta huwa Sarita ke pichhe aakar khada ho gaya. Sarita ko andaza ho gaya ki Nishchal uske paas khada hai, lekin Sarita ne uski taraf nahi dekha aur uski taraf pith karke khadi rahi. kuchh pal intezar ke baad Nishchal ne kaha.


Nischal- I Am Sorry. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Mujhe maff kar do.


Nishchal ke maffi mangne par Bhi Sarita ne koi jawab nahi diya to Nishchal ne fir se kaha.


Nischal- I Am Sorry. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Mujhe maff kar do.


Sarita ne fir se koi jawab nahi diya to Nishchal ne fir se kaha.


Nischal- I Am Sorry. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Mujhe maff kar do.


Sarita ne fir se Uski baat ka koi jawab nahi diya to Nishchal ne fir se kaha.


Nischal- I Am Sorry. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Mujhe maff kar do.


Ab Sarita ne na raha gaya to Sarita gumkar uske samne khadi ho gayi aur gusse se boli.


Sarita- Nahi chahiye mujhe aapki mafi. Aap yaha kya karne aaye hain. Ek thappad marker bhi aapka man nahi bhara kya abhi aapka. Aur thappad marna hai aapnko.

Nishchal- Are yaar main mafi to maang raha hoon na. fir tum itna gussa kyo dikha rahi ho. Haan maine jo kiya wo mujhe nahi karna chahiye tha. Mujhse galti ho gayi. jiske liye main Maffi mang raha hoon.

Sarita- Apni had me rahiye aap. Main aapki yaar nahi hoon. aur maffi mangkar aap ehsan kar rahe hain kya.

Nischal- Mujhe ye samajh me nahi aata ki tum har baat ka galat matlab kyon nikal leti ho. kabhi to meri baat sun liya karo. Tumhe mujhe kitni baar bina galti ke thappad mara hai. aur aaj tak maaffi bhi nahi mangi hai. lekin fir bhi maine tumse kuchh nahi kaha.

Sarita- aahhahhahha. Kitna kuchh kaha aapne mujhe. mujhe dhamki bhi de di ki agar maine maafi nahi mangi to aap mujhe PS me rahne nahi denge. aur yaha bhola ban-ne ka natak kar rahe hain.

Nishchal- haan to tumne kitni jor se mara tha mujhe. dono taraf ke gaal laal kar diye the tumne mere. lekin maine to tumhe ek hi thappad mara. wo bhi tumhari galti ke liye. aur ab tumse mafi bhi to mang raha hoon na.

Sarita- Mujhe aapki mafi nahi chahiye. Maffi mangkar koi ehsan nahi kar rahe ho aap.

Nischal- Are yaar tumse to baat karna hi bekar hai. har baat ka ulta matlab nikal leti ho.

Sarita- To mat kaiye na mujhse baat. Maine thodi hi aapko bulaya tha ki mujhse maffi mange aap. aap hi aaye hain mere paas maffi mangne ke liye.


In dono ki nok-jhonk dhire dhire badhti ja rahi thi. tabhi un ladkiyon me se ek bachhi jo unme se sabse chhoti thhi lagbhag 10 sal ki. Uska naam Akku tha. wo ward se bahar aayi aur Sarita aur Nishchal ko ladte huwe dekhkar unhe paas jakar khadi ho gayi. Sarita aur Nishchal apni ladai me hi vyast the. to dono ne us par dhya nahi diya. kuchh der khadi rahne ke baad Akku ne kaha.


Akku- Didi. Ye Uncle kaun hain aur aapse jhagda kyon kar rahe hain.


Akku ki baat sunkar dono ka dhyan uski taraf gaya. Akku ko dekhkar Sarita ne apne gusse par kabu kiya aur Akku se kaha.


Sarita- Kuchh nahi beta. ham dono bas baat kar rahe hain. tum andar jao main aa rahi hoon kuchh der me.


Sarita ki baat sunkar Akku Ward me chali gayi. Uske jane ke baad Sarita Nishchal se kaha.


Sarita- Mujhe aapse koi baat nahi karni hai aap abhi yaha se chale jaiye.


Nishchal ne socha ki abhi iska mood thik nahi hua hai abhi gussa hi hai ye aur abhi gusse me ye kab kya kar de koi bharosha bhi nahi hai. pata laga gusse me isne fir se mere dono gal laal kar diye to khamkhah hospital me beijjati ho jani hai, isliye abhi jata hoon. baad me isase baat karunga.


Yahi sochkar Nischal Sarita ki baat ka jawab diye bina hi Hospital ke bahar chala gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Sarkar ka order boss koo mila aur boss ka order aya bacha ko k ab is mamle ke liye raghu ko hi bolaya jaye ab to khud bacha bhi bohut zyada frustrated hai sarita ko lekar wo bhi is musibat se nijat pana chahta hai ab dekhte ki akhir raghu hai kon.
Savita ji apne ngo ke function mai sarita ko bolana chah rahi hai dusro ke liye ek inspiration ki tarah.
Anand ji ki mehnat safal huwi aaj unki beti ke karan unka bhi Naam ho raha hai jis ki umeed unhe apne bete se thi wo sab hi kaam unki beti kar rahi hai.
Ek to sarita ki galti thi jo usne itna kuch nischal ko suna diya Uppar se ab wo bechara khud se maafi mang raha hai to bhi madam apne attitude mai hi hai.
Overall Nice Update
BRAVO 🙌
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Nischal ne yaha Ek baar bhi ye nahi kaha ki sarita ne galat kiya un ladkiyon ko bacha kar but usey sirf itna karna tha ki ye sab kaand hone ke Baad ek baar iski info Nischal ko dede but sarita madam to kuch sunne ko tayyar hi nahi hai unhe lagta ki sirf wo hi ek Imandar hai aur sirf wo hi ek police officer jo apna kaam kar rahi hai usey is Baat ki bhi jankari nahi hai ki har kaam ka apna ek system hota hai usne jo kiya wo sahi tha but ye bhi uska hi kaam hai ki wo isko info apne seniors ko bhi de kyunki jo seniors wo bhi police officers hi hai na ki koi aur rah chalte log.
Bina kisi sonch samajh ke usne Nischal par itne arop laga diye usne ye bhi nahi soncha ki jo banda khud pore case ko handle kar kar usey begunah sabit kar sakta hai jo banda dadi ko khud ki protection mai hifazat se rakh sakhta hai kya wo agey ke barey kuch sonch nahi sakta kya wo aise hi dadi ko apne pass rakhega bina unki natin ko milaye.
Yaha sarita sirf josh se kaam le rahi hai aur is josh mai usey ye samajh nahi araha hai ki yahi josh kahi Baad mai ulta pad jaye jab sab hi usey Keh rahe hai ki bacha Singh koi mamuli gunda nahi hai aise mai usey har chiz planning ke sath hi karni chahiye naki josh josh mai.
Overall Great Update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।
बस यही तो मुद्दा है मुख्य की सरिता निष्चल को बताना नहीं चाहती। वो काम तो बढ़िया कर रही है, लेकिन अकेले कर रही है। उसे अपने सीनियर अधिकारियों को बताकर काम करना चाहिए।
निष्चल भी सही है अपनी जगह। उसे भी अपने ऊपर के अधिकारियों को जवाब देना होता है इसलिए उसकी नाराजगी जायज भी है।

साथ बने रहिए।।
 

Top