Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Sarkar ka order boss koo mila aur boss ka order aya bacha ko k ab is mamle ke liye raghu ko hi bolaya jaye ab to khud bacha bhi bohut zyada frustrated hai sarita ko lekar wo bhi is musibat se nijat pana chahta hai ab dekhte ki akhir raghu hai kon.
Savita ji apne ngo ke function mai sarita ko bolana chah rahi hai dusro ke liye ek inspiration ki tarah.
Anand ji ki mehnat safal huwi aaj unki beti ke karan unka bhi Naam ho raha hai jis ki umeed unhe apne bete se thi wo sab hi kaam unki beti kar rahi hai.
Ek to sarita ki galti thi jo usne itna kuch nischal ko suna diya Uppar se ab wo bechara khud se maafi mang raha hai to bhi madam apne attitude mai hi hai.
Overall Nice Update
BRAVO 🙌
धन्यवाद आपका महोदय।
दोनों बहुत ही शातिर हैं हमेशा अपनी पहचान छुपकर रखते हैं।। सरिता का वही हाल है। निष्चल के समझाने के बाद भी वो उसे ही भला बुरा कह रही है।
निष्चल अभी चाहे तो सरिता को निकाल सकता है लेकिन वो प्यार की एकतरफा बीमारी से पीड़ित हो चुका है।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 51


Nischal gusse mein Sarita ko aaram karne ke liye bolkar bahar jane lagta hai tabhi pichhe se use Sarita ki aawaz sunai padti hai.


Sarita- Rukiye Sir.


Sarita ki aawaz mein ek dard tha jise mahsoos karke Nishchal ka gussa pal bhar mein hi kafoor ho jata hai aur wah turant palat jata hai. aur poochta hai.


Nishchal- Kya huwa tumhe Sarita. Dard ho raha hai kya.


Sarita nishchal ki baat sunkar apne aapko hilane ki koshish karne lagti hai to Nishchal Uski taraf badha aur uske pas jakar uske kandhe par hanth rakhte huwe poochta hai.


Nishchal- Kya huwa baithna hai tumhe to mujhe batao na.

Sarita- Letna hai mujhe adhleti hui thak gayi hoon.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne uske kandhe ko pakadkar thoda aage kiya aur uski pith ke pichhe se takiya nikal diya. Fir Sarita ko Apni bahon ka sahara dekar Use uthaya aur thoda left side ki karwat karke use lita diya.


Jab wo hanth hatane laga to uska hanth anjane mein Sarita ke jakhmo ko touch kar gaya Jiske karan Sarita ke munh se aahhhhh nikal gayi. Nishchal ne turant mafi mangte huwe kaha.


Nishchal- I am Soryy. Wo hanth hatate samay anjane mein lag gaya.

Sarita- Koi bat nahi Sir.


Sarita ki jab aah nikli to Nishchal ki aankh mein aanshu aa gaye. Wo Sarita ki taraf jhuka huwa tha to uski aankho se do bund aanshu nikalkar Sarita ke Raght hand par gira jo karwat lekar letne ki wajah se upar ki taraf tha.


Sarita ne bhi mahsoos kiya ki uske hath par kuchh gira hai lekin usne jyada dhyan nahi diya. Nishchal use litane ke baad Uske bagal mein hatkar khada ho gaya aur Sarita se kaha.


Nishchal- Kisi bhi cheej ki jaroorat ho to mujhe aawaz de dena main yahi par baitha hua hoon.


Sarita ne sahmati mein apna sir hilaya aur apni aankhe band kar li. Kuchh hi der mein wo neend ki wadiyo mein kho gayi. Nischal wahi paas lagi bench par baitha huwa use dehta raha. Sarita so rahi thi to ekdam masoom si lag rahi thi.


Nishchal uski masoomiyat mein kho gaya. Uska dhyan tab toota jab Raghav ne uske kandhe par hanth rakha. Raghav dono ke liye khana lekar aaya tha. Raghav ko dekhte hi Nishchal ne kaha.


Nishchal- Abhi soyi hai ye. Khana rakh do jab jagegi tab khila dunga main.

Raghav- Thik hai. Chalo Jab tak Sarita ji so rahi hain tab tak tum khana kha lo. kal se tumne bhi khana nahi khaya hai. di ne kaha hai ki tumhe bhi khana khila doon.

Nishchal- Abhi bhookh nahi hai. Jab bhookh lagegi to khaa lunga.

Raghav- Thik hai maine khana rakh diya hai jab tumhe lage tab kha lena, main ja raha hoon kuchh kam se.


Itna bolkar Raghav Hospital se nikal gaya. thodi der baad dava ka samay ho gaya to Nurse ne aakar Sarito ko uthaya. Sarita ko uthte dekh Nishchal ne Nurse se kaha.


Nishchal- Sister. pahle ise thoda sa khana khila dijiye. uske baad dava khilaiyega.

Nurse- Mujhe aur bhi mareejo ko dekhna hai Sir. to aap hi inhe khana khila dijiye. maine ye dawa nikal kar rakh di hai. khana khilane ke baad ye dava bhi khila dena.

Sarita- Thik hai koi baat nahi. main kha lungi. abhi main thik hoon.


Nurse chali jati hai. Nishchal Sarita ke liye khana nikalane lagta hai. Nishchal khana nikal kar Jab Sarita ko khilane jata hai to Sarita kahti hai.


Sarita- Aap mujhe de dijiye main kha lungi Sir.

Nishchal- Abhi tumhare jakham bhare nahi hain. tumhe takleef hogi. main khila de raha hoon.

Sarita- Aap mujhe de dijiye main kha lungi. main thik hoon.

Nishchal- Jab main bol raha hoon ki main khila dunga tumhe to tum kyon zid kar rahi ho.

Sarita- Maine kaha na ki main thik hoon. main khud kha sakti hoon.


Nishchal ko Sarita ki baat sunkar gussa aa gaya. to Usne khane ki plate Sarita ki taraf badha di. Lekin jab Sarita Khane ki plate pakadne ki koshish karti hai to use dard hoga hai to uske munh se cheekh nikal jati hai. Jise sunkar Nishchal gusse se kahta hai.


Nishchal- Khaao na. ab cheekh kyon rahi ho. thik to ho gayi ho tum.

Sarita- Aapko to chidhane ka koi na koi mauka chahiye bas. ye nahi ki meri madad karein.

Nishchal- Main tumhe kaha chidha raha hoon. main madad hi to kar raha tha tumhari. lekin tumne hi to kaha ki main thik ho gayi hoon aur apne aap kha lungi to khao na. plate tumhare samne hi padi hai.

Nischal- Aap rahne dijiye nurse ko bhej dijiye.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne plate utha li aur gusse se sarita se bola.


Nishchal- Suna nahi tumne nurse ne kya kaha tha. ab jyada natak mat karo aur apna munh kholo.

Sarita- Main natak kar rahi hoon. Jao mujhe nahi khana.

Nishchal- To mat khao na. Jaisi tumhari marji.

Sarita- Lekin mujhe bhookh lagi hai.

Nishchal- Main khila to raha hoon na. jyada natak mat karna nahi to mujhe gussa aa jayega. aur main gusse mein kya kar jaunga tumhe pata nahi.

Sarita- Kya kar logo aap. dhamki de rahe ho mujhe.

Nishchal- Are yaar. Tum na baal ki khal nikalti ho. main to bas itna kah raha hoon ki tumhe bhookh lagi hai to main khila de raha hoon tumhe. Nurse busy hai. bas itni si baat ka tum pata nahi kya matlab nikal rahi ho.

Sarita- Achha thik hai Khilaiye.


Nishchal ne Ek kaur banakar sarita ke munh me dala. to Sarita ne kaha.


Sarita- Oouuukkkkk. Kaisa khana hai. isme to koi swad hi nahi hai.

Nishchal- Ab jyada natak mat karo tum Samjhi. tumhe ab 1 hafte yahi kahana khana hoga.

Sarita- Ek hafte. Mujhe nahi khana ye khana. doosra khana lekar aaiye.

Nishchal- Achha meri maa. Kal se tumhare liye doosra khana aayega. lekin aaj ye kha lo plz.


Nishchal ke plz ne uspar asar kiya aur wo chupchap khana khane lagi. Sarita ko khana khilane ke baad Nishchal ne use dawa khilayi. Sarita ne baithne ke liye kaha to Nishchal ne Uski pith ke pichhe takiya rakhkar use baithaya aur bench par baithkar khana khane laga to Sarita ne kaha


Sarita- Aap ne abhi tak khana nahi khaya tha Sir.

Nishchal- Haan wo Raghav kuchh der pahle hi dekar gaya to maine socha ki pahle tumhe khila doon fir main kha lunga.

Sarita- Lekin pahle aap bhi to kha sakte the.

Nishchal- Khaa to sakta tha, lekin agar tum jag jati khane ke bich to tumhe khana khilana padta aur tumne jo natak abhi khane ke samay kiya tha. usme kitna time laga. fir dobara mujhse bacha huwa khana nahi khaya jata, isliye maine nahi khaya.

Sarita- Very funny. Aapko to bas mauka chahiye meri tang kheechne ke.

Nishchal- Achha ab tum shant ho jao aur mujhe khana khane do.


Nischal ki baat sunkar SArita chup ho gayi aur nishchal khana khane laga. Sarita ek tak nishchal ko dekhne lagi. Sarita ne man hi man socha.


Sarita- (man mein) waise ye hitlar itna bura bhi nahi hai. kitna khyal rakh raha hai mera. bas thoda sa akdu hai. achha dikhta bhi hai. personality bhi thik hai. lekin mujhe dat-ta bahut hai.


Sarita yahi sab soch rahi thi. is bich Nishchal khana kha leta hai. Jab usne Sarita ki taraf dekha to use kisi soch mein dooba paya. Nishchal ne Sarita ko disturb nahi kiya aur kamre se bahar chala gaya. thodi der mein Sarita ki family bhi aa gayi. Unke aane ke baad Unhe bata kar Nishchal Hospital se bahar chala gaya.


Raghu pahale se hi Hospital ke bahar fielding lagaye huwe tha. Nishchal ko bahar jata dekhkar Usne ek Safed rang ka coat. Jaise doctor pahante hain. use pahankar hospital mein aaya. Usne apne sir par cap lagayi hui thi. wo apne sir ko niche kiye huwe tha.


cap lagi hone ke karan sir niche karne par Uska chehra chiipa huwa tha. Jis samay wo Hospital mein aaya Sarita ki family bahar parisar mein baithi hui thi. Doctor ka libas pahne hone ke karan Use jyada dikkat nahi hui Sarita ke room mein pahuchne par.


Jab Raghu Sarita ke kamere mein pahucha to Sarita so rahi thi. Usne Sarita ko Kuchh der dekha aur fir Uske Sirhane Guldata rakh diya aur Sath mein ek note bhi rakha jo wo hamesha guldaste ke sath rakhta tha. Guldasta rakhne ke baad Usne ek najar Sarita ko dekha aur fir uske room se bahar nikal gaya.


Jab Sarita sokar uthi to uske sirhane par guldasta rakha huwa tha. Sarita ne Dekha ki Manisha bench par bathi hui apne mobile mein kuchh kar rahi hai. Sarita ne Manisha se poocha.


Sarita- Manisha. ye guldasta kisne diya.


Sarita ki aawaz sunkar Manisha ka dhyan bhang huwa to usne SArita se kaha.


Manisha- Aapne kuchh kaha kya didiya.

Sarita- Haan manisha ye guldata kisne diya.

Manisha- Mujhe nahi pata didiya Koi aaya hoga aapse milne wahi de gaya hoga. ham log to bahar baithe huwe the. main to kuchh hi der pahle aayi hoon andar. jab main yaha aai to ye guldasta rakha huwa tha.

Sarita- Kya tumne kisi ko dekha tha.

Manisha- Nahi didiya.

Sarita- Achha ye guldasta mujhe pakda do. mera hath nahi pahuch raha hai.


Manisha ne SArita ko guldasta pakda diya. Sarita guldaste ko dhyan se dekhti hai to usme use ek note dikhayi deta hai. ab wo use kholkar dekhti hai to Usme likha tha.


Ek bahadur aur Janbaj Police Officer ko is nachhez ki or se tuchchh si Bhent. aapko hospital mein dekhkar mujhe bilkul bhi achha nahi lag raha hai. aapki jagah Hospital mein nahi PS mein hain. Main aapko bahut jald Hanste Muskurate huwe PS mein dekhna chahta hoon. Aapka Sabse bada Fan aur Shubhchintak.


Aaj pahli baar Sarita ke chehre par Guldasta dekhkar Muskan aa jati hai. Sarita muskurate huwe man hi man sochne lagti hai. Aakhir ye insane hai kaun jo abhi tak mere samne nahi aaya. mujhse apni pahchan chhupa raha hai. lekin ye aisa kyon kar raha hai. iska kya maksad ho sakta hai.


Ye kisi ki chal hai ya sach mein koi hai jo mujhme interested hai, lekin mere samne aane se darta hai. kaise pata lagaun main uska.


Abhi Sarita ye sab soch rahi thi ki Manisha ki baat ne uski tandra bhang ki.


Manisha- Wowwww. Kya baat hai didiya. Kisko yaad kar ke aap itna muskura rahi hain.

Sarita- Nahi to. main kahan muskura rahi hoon.

Manisha- Achha. Lagta hai ki Mujhe bhi ab chashma lagana padega didiya.

Sarita- Wo kisliye Manisha. tukhe chashme ki kya jaroorat pad gayi.

Manisha- Wo kya hai na didiya. ki tum bol rahi ho ki tum muskura nahi rahi ho. fir bhi mujhe aisa dikh raha hai ki tum muskura rahi ho. lagta hai meri aankh mein kharabi aa gayi hai. mujhe chashme ki jaroorat padne wali hai.


Manisha ki baat sunkar SArita Muskurane lagi aur boli.


Sarita- Chal hat. Har samay tujhe bas masti hi sujhti rahti hai.


SArita ki baat sunkar Manisha uchhalkar Uske gale lag gayi, lekin is chakkar mein uska hanth SArita ke jakhm par lag gaya. jiske karan Sarita ki aah nikal gayi. Sarita ne kaha.


Sarita- Aaahhh. kya karti ho manisha. Itni tez Uchhalkar aane ki kya jaroorat thi.

Manisha- Ohhh sorry didiya. mere dhyan se hi utar gaya tha ki tumhe chot lagi hai. Jyada tez to nahi laga mera hath aapko.

Sarita- Haan thoda sa laga hai.

Manisha- Ruko didiya main nurse ko bulati hooon.

Sarita- Are nahi Manisha main to mazak kar rahi thi.

Manisha- Achha bachhu. mujhe panga. Ruko abhi batati hoon main aapko.


Itna kahkar Manisha ne uske jakhmo ko halka sa sahla diya. Jiske karan Sarita ko halka sa dard huwa aur wo chillane lagi. To Raani ji bhagkar uske kamre mein aayi aur boli.

Raani jii- Kya huwa Sarita. tum chillayi kyon.

SArita- (manisha ko ghurkar) Kuchh nahi mummy. right hand par jyada load par gaya isliye dard ke karan meri aawaz nikal gayi.


Sarita Ko ghurte dekhkar manisha ne apne kam pakadkar Maafi ka ishara kiya to SArita ke hontho par muskan aa gayi. tabhi Raghav khana lekar kamre mein aaya aur uske sirhane rakhi table par khana rakh diya aur bola.

Raghav- Jab aapko bhookh lage to kha lijiyega.


SArita- Mujhe ye sada khana nahi khana.

Raani ji- (gusse mein) kyon nahi khana. ek to tum kisi ki bat nahi manti ho. upar se khane mein bhi aanakani karti ho. ye sab nahi chalega.

Sarita- Nahi maan main to kah rahi thi ki main yehi khana khaungi.


Sarita ki baat sunkar Raghav aur Manisha ko hansi aa gayi aur wo hansne lage. SArita ne jab dono ko ghurkar dekha to dono shant ho gaye. thodi der shant rahne ke baad dono fir se hansne lage to SArita ne kaha.


SArita- Badi hansi aa rahi hai dono ko meri halat par. mujhe thik ho jane do fir batati hoon main dono ko.

Raani ji- Un dono ko baad mein batana. pahle khana kha lo.


Ye kahkar Rani ji ne khana plate mein nikala aur apne hantho se Sarita ko khilane lagi. Khana khate huwe Sarita ki aankho mein aanshu aa gaye aur Khana khilate huwe Rani ji ki aankho mein. Aakhir Itne dino bad sarita ko Rani ji khana khila rahi thi. Is ehsas ne dono ki aankhe nam kar di thi.


SArita ke khana khan eke baad Sabhi ne khana khaya. Khana khane ke baad Sarita ke papa ne Savita se kaha.


Aanand ji- Savita bitiya. main soch raha hoon ki jab tak Sarita hospital mein hai tab tak ham yahi ruk jate hain. Hospital se nikalne ke baad Ham Sarita ko lekar Allahabad chale jayenge kuchh dino ke liye.

Savi- Ab isme main kya bol sakti hoon Uncle Jaisa aapko uchit lage. waise Sarita ka poora dhyam main bhi rakhungi.

Rani ji- Mujhe pata hai beta ki Sarita ko tumhare yahan par kisi cheej ki pareshani nahi hogi. tum raghav aur Nishchal Sarita ka poora khayal rakhenge, lekin ham log chahte hain ki Sarita kichh din hamare sath rahe.


Savi- Thik hai Ab aapne soch hi liya hai to aap Sarita ko le Jaiyega. lekin jab tak yaha par hai tab tak main iska dhyan rakhungi. Waise bhi Sarita ke discharge hone mein kam se kam hafte bhar ka samay to lagega hi.

Aanand ji- Haan itna samay to lagega hi. Nishchal beta kaha par hai dikhayi nahi de raha hai.

Raghav- Wo kisi kaam se bahar gaya huwa hai usne mujhe phone kiya tha. wo aaj nahi aayega hospital. aisa bola tha usne.


Uske baad sabhi aapas mein baatcheet karne lagte hain.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 52


Udhar Hospital se nikal Kar Nishchal Us jagah par gaya jahan par kal danga bhadka tha. Jab Yaha par civil dresh mein Sarita ne Kuchh police walo ko tainat kiya tha usi samay Nishchal ne Yaha ke mahoul ko dekhte huwe CCTV Lagane ki Permission SSP se lekar Yaha par CCTV lagwa diya tha.


Jiska control Ek chhoti si shop mein rakh diya tha taki Jyada logo ki iski jankari na ho. Nishchal jab waaha pahucha to charo or sannata pasra huwa tha. Nishchal ne charo taraf ka jayja Liya. Danga hone ke baad Waha par dhara 144 laga di gayi thi. taki aage koi bhi naya bawal na ho sake.


Isliye waha ki sari dukane filhal kuchh din ke liye band ho gayi thi. nishchal ne Phone karke Mohit aur Jawed ko bhi waha bula liya aur Us shop wale ko bhi phone kar ke waha bulaya. Jiski shop mein CCTV ka control tha.


Kuchh hi der mein Mohit aur Jawed waha par pahuch gaye. Mohit ne poocha.


Mohit- Kya baat hai Sir. Aapne hame urgentaly bulaya.

Nishchal- Mujhe lagta hai ki Sarita ke upar Goli kisi sochi samjhi sajish ke tahat chalayi gayi hai aur yaha jo itne din se shanti thi aur achanak danga bhadak gaya. Ye bhi kisi ki sochi samjhi sajish ka natiza lag raha hai.

Jawed- haan Sir aapki bato mein point hai. aisa ho sakta hai. is bare mein hamne socha hi nahi. to ab kya kare sir.

Nishchal- Sabse pahle hamein CCTV Fotage dekhni hogi. Dekhte hain usme kuchh milta hai ki nahi. Uske baad hi aage kya karna hai sochte hain.


Abhi ye log baat hi kar rahe the ki Shop ka malik bhi aa gaya. Usne jakar Shop kholi aur Nishchal, Mohit aur Jawed ko andar lekar Sutter gira diya.


Nishchal, Mohit aur Jawed ne CCTV Footege dekhna shuru kiya. Tino ne dekha ki Do vyaktiyon mein kuchh tu tu main main hui. Uske baad Ek vyakti ke kuchh sathi aaye aur doosre vyakti ko marne lage. apne sathi ko pit-ta dekh doosre vyakti ke sathi bhi aa gaye aur dono paksho me laai shuru ho gayi.


Ek Vyakti jo apne munh par kala kapda bandhe huwe tha Wahi in logo ko bhadka raha tha aur dhire dhire bheed badhti gayi aur Ek mamuli baat se shuru huwa jhagda Dang e mein parivartit ho gaya. Sab ek doosre ke upar patther barsane lage. patthar barsane ke baad lathiya aur honcky stick se marpit hone lagi.


Jab danga poori tarah se bhadak gaya to wo vyakti bhid se nikal kar bagal khada ho gaya. Isme Us nakabposh ka ek sath aur bhi tha jo uski madad kar raha tha. Lekin isi bich uske sathi ka chehra dikh gaya. nakabposh ke sathi ne ek gamchaa lapete huwe tha.


bhid badhne aur dhakka mukki hone se uske chehre se gamchhaa hat gaya aur uska chehra dikhne laga. usne turant hi apna chehra gamchhe se dhak liya, lekin Uska chehra itni der tak bahar dikh hi gaya ki koi aaram se use pahchan sakta tha. Nishchal, Jawed aur Mahot Us chehre ko baar baar joom karke dekhne lage. shayad mohit ne Use pahchan liya tha isliye usne Vedio ko posh kiya aur Nishchal se kaha.


Mohit- Ise shayad main pahchan raha hoon.

Nishchal- Kya. kaun hai ye mohit.

Mohit- Sir. Mujhe lagta hai ki ye heera hai.

Nishchal- Kaun heera.

Jawed- Ye Bachha singh ka aadmi hai aur usi ke liye ye kaam karta hai.

Nishchal- Ohhh. iska matlab in sabke pichhe bachha singh ka hath hai.

Mohit- Heera ko dekhkar to yahi lagta hai ki ye sab bachha singh ne kiya hai. poori sachhai to Heera ke pakde jane ke baad hi samne aayegi.

NIshchal- thik hai. Ise jald hi pakadna hoga. Video aage dekhte hain.


Nishchal, mohit aur jawed aage ka video dekhne lagte hain. Tabhi tino ke samne wo drishya aaya jisme sarita ko goli lagi thi. tino ne dekha ki kaise sarita ne Ek police wale ko bachane ke liye khud goli ke samne aa gaye. Tino ke chehre par hairani wale bhav the.


Ye Sceen dekhkar Nishchal ko apne andar kuchh toot-ta huwa mahsoos huwa. Use guilt feel hone laga ki kahi na kahi Sarita ke is halat ka jimmedar wahi hai. Use hi bachane ke liye Sarita ko goli lagi hai. tino ki aankhe fir nam ho gai. Mohit ne Video posh kiya aur kaha.


Mohit- Ye kya Tha Sir. Madam ko jo goli lagi thi wo aapke upar chalayi gayi thi. Iska matlab ye huwa ki madam ke sath sath aapko bhi bachha singh ne apna nishana banaya.

Nishchal- Main to samajh raha tha ki Sarita Ko goli uski bachkani harkto ki wajah se lagi. Agar Sarita us din nahi aati samne to aaj uski jagah main hospital mein hota.

Jawed- Madam ne to bahut bada kaam kiya hai Sir. Unhone aapki jan bachaai. madam bahut bahadur hain.

Nishchal- chup raho tum dono. Ise bahaduri nahi kahte. khudkhushi kahte hain. Kya jaroorat thi use goli ke samne aane ki. Ekdam pagal aur jiddi ladki hai. hame jald se jald Heera ko pakadna hoga. Aakhir main bhi to dekhu ki wo aage kya karne wala hai.


Iske baad tino aage ki vedio dekhne lage. aage kuchh khas nahi tha. video dekhte huwe Nishchal ne apne man me dridh nishchay kiya ki bachha singh ya jo bhi is dang eke piche hai use wo itni aasani se nahi chhodega aur us Aadmi ko to bilkul bhi nahi jisne Sarita par goli chalayi thi.


NIshchal ne man me nishchay kiya ki ab chahe jo ho jaye. chahe jameen aasman ek karna pade, lekin wo Sarita se ab tabhi milega jab Wo Heera ko pakad lega. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Jawed. ek kaam karna. Iski ek photo lekar apne mukhbiro ko bhej do aur unhe kah do ki jitni jaldi ho sake ise dhoondhe. mujhe ye har haal mein chahiye. Jisne bhi Sarita ka ye haal kiya hai main use chhodunga nahi. aur tum dono bhi thodi mustaid raho.

Jawed & Mohit- Yes sir.


Heera ko pakadne ke abhiyan joro shoro se shuru huwa. Nishchal Us din ke baad na to hospital gaya aur na hi ghar gaya. Savita aur Raghav ka jab bhi phone aata kaam ka bahana banakar ghar aane ke liye mana kar deta. 4 din bit gaye the lekin heera ko koi ata pata nahi tha.


lekin in chaar dino mein Raghu roj Hospital mein aata aur Jab Sarita so rahi hoti to sabki najar bachakar Guldasta Sarita ke sirhane rakhkar Ek note chhodkar chala jata tha. Usne Sarita se milne ki koshish nahi kit hi. Uske isi ravaiye se Sarita ko ek lagav sa ho gaya tha us anjan sakhs ke prati jo use roj guldasta bhejta tha.


Lekin kahte hain na ki sidddat se dhoondhne par bhagwan bhi mil jate hain to shaitan ki kya bisat. panchve din sham ko Nishchal ko Jawed ka phone aaya.


Jawed- Sir. abhi ABhi mukhbir ne khabar bheji hai ki Heera ………………. theke par apne dosto ke sath baithkar Daru pi raha hai. aap jaldi se aa jaiye. main aur mohit aapko wahi par milte hain.


Jawed ki baat sunkar Nishchal turant Jawed ke bataye huwe pate par pahuch gaya aur heera ko dhar dabocha. Heera ke dost bhi police ko dekhkar dar gaye. isliye unhone koi panga lena sahi nahi samjha. Nishchal, Mohit aur Jawed Heera ko pakadkar thane le aaye aur uski tabiyat se dhunai ki. dhunai karne ke baad Nishchal ne poocha.


Nishchal- Bol heera. Kiske kahne par tumne ye danga karwaya. wo nakabposh kaun tha jiske sath tumne is dange ko anjam diya.

Heera- Ye aap kya bol rahe hain Sahab. Maine kaun sa danga karwaya. maine to ye kaam kab ka chhod diya hai sahab. aapko jaroor koi galatfahmi hui hai.

Jawed- (ek mukka marker) Apne aapko bahut sanda samajhta hai kya. Subut hain hamare paas ki tumne aur tumhare nakabposh sathi ne hi is dange ko anjam diya hai. ab sidhi tarah se bata de nahi to tere liye achha nahi hoga.

Heera- Main sach kah raha hooon. mujhe nahi pata ki aap log kya bate kar rahe hain.


Heera ke kahne ke baad uski fir se dhunai shuru ho gayi, lekin heera tha ki sach bolne ka nam hi nahi le raha tha. thak harkar tino heera ko lockup mein dalkar bahar aaye.


Nishchal- Iski ache se khatirdari karo. yahi hamein us aadmi tak pahuchayega. dekhte hain kab tak ye munh nahi kholta. ab main ghar ja raha hoon. tum log ispar najar rakhna ye bhagne na paye.


Mohit & Jawed- Yes sir.


Nishchal itna bolkar ghar ke liye nikal gaya. Nishchal hospital na jakar ghar gaya. Us samay raat ke 11 baj rahe the. Nishchal jakar fresh huwa aur apne kamre mein jakar so gaya. Savita aur Raghav tatha Joshi pariwar Hospital mein tha. Subah uthkar taiyar hokar aur nashta karke Nishchal Hospital chala gaya.


Waha pahuchkar Nishchal ne dekha ki Sarita kisi baat ke liye manisha ko dant rahi thi. raghav bhi wahi maujood tha. Jab se sarita Hospital mein admit hui thi. tab se Uske liye subah sham khana lane ka kam Raghav karta tha. Manisha bhi Uske pichhe pichhe use pareshan karne ke liye din bhar ghoomti rahti.


Poore rashte dono ek dusre se kutte billi ki tarah ladte huwe aate the. Raghav isi bat ki shikayat Sarita se kar raha tha. Manisha ki shaitaniya bata raha tha.


Raghav- Aapko pata hai Sarita ji. Ye jo aapki chhoti bahan hai na. ye mujhse hamesha jhagda karti hai. hamesha mujhe pareshan karti hai.

Manisha- Achha ji. maine kab pareshan kiya aapko.

Sarita- Ye aisi hi hai Raghav ji. Subah uthne se leker raat sone tak ek minute bhi shant nahi rahti. din bhar shararat aur bak bak karti rahti hai.

Manisha- Achha. main bak bak karti hoon. thik hai aaj ke baad main apna munh hi nahi kholungi.


Ye baat Manisha ne munh banakar apne munh par ungli rakhte huwe kahi. Jise dekhkar raghav aur SArita hansne lage. Raghav ne kaha.


Raghav- Dekha Sarita ji. main bhi jab isase kuchh kah deta hoon to ye isi taraf munh fula leti hai aur baat nahi karti.

Sarita- Ye to iska roj ka kam hai. aap dhyan na diya kijiye iski bato par.


Tabhi Nishchal Kamre mein aata hai. Nishchal ko dekhkar Manisha Kamre se bahar jane lagti hai to Raghav use rokta hai lekin jab wo nahi rukti to wo bhi Manisha ke pichhe pichhe bahar chala jata hai. dono ke jane ke baad kamre mein Sarita aur Nishchal bache the. Nishchal SArita ke paas jate huwe kahta hai.


Nishchal- Ab kaisi tabiyat hai tumhari.

Sarita- (gusse mein)main kyon batau ki main kaisi hoon. jab aapko meri fikar hi nahi hai to.

Nishchal- Ye kaisi baat kar rahi ho tum. Mujhe kyon fikar nahi hogi tumhari.

Sarita- Agar fikar hoti to roj milne aate aap mujhse. Lekin nahi. 5 din se gayab hain aap. ek baar bhi mujhse milne nahi aaye. Lekin aapko kya lagi hai meri. Main karun ya jiu aapko kya matlab usase. kaha the aap 5 dino se.

Nishchal- Wo danga huwa tha. to uski report banakar head quarter mein submit karna tha. usi prossece mein bahut busy tha. isliye tumse milne nahi aa paya. sorry.

Sarita- Thik hai thik hai. Ab jyada maska lagane ki jaroorat nahi hain. maaf kiya maine aapko.

Nishchal- Tumne bataya nahi ki tumhari tabiyat ab kaisi hai.

Sarita- Haan ab pahle se thik hai, left hand ki movement to ho rahi hai lekin Right hand abhi thik se kam nahi kar raha hai. kandhe mein abhi bhi dard bana rahta hai. doctor ne kaha hai ki kuchh din mein dhire dhire thik ho jayega.

Nishchal- Kya jaroorat thi us aadmi ko dande se marne ki.

SArita- (chaunk kar) maine kis aadmi ko mara Sir.

Nishchal- Wahi Us din. jis din Us aadmi ne Police wale par bandook tani thi.


SArita ko ekaek yaad aaya ki usne to ye jan-ne ki koshish hi nahi ki ki wo Police wala ab kaisa hai. wo hadbadate huwe boli.


Sarita- Wo haan. Wo police wale ko goli marne ki koshish kar raha tha. isliye maine useke hath par danda mara. main to aapse poochhna hi bhool gayi ki wo police wala ab kaisa hai. thik to hai na wo.

Nishchal- Tumhe sach mein nahi pata ki wo police wala ab kaisa hai.

SArita- Mujhe kaise pata hoga Sir. Mujhe to goli lag gayi thi aur jab mujhe hosh aaya to main hospital mein thi. bataiye na sir wo police wala kaisa hai.

NIshchal- Wo police wala tumhare samne khada hai tum khud hi dekh lo ki wo police wala kaisa hai.

SArita- (chaukte huwe)Kya… Wo policewala aap the.

NIshchal- (adab ke sath) Ji mohtarma. wo main hi tha. meri jaan bachane ke liye thanks aur meri wajah se aaj tum hospital mein ho uske liye sorry.

SArita- Koi baat nahi sir. Chalo anjane mein hi sahi ek achha kam ho gaya. Aapka ehsan utar gaya mere upar se.

NIshchal- (hairani se)- Kya matlab hai tumhara. kaun sa ehsan.

Sarita- Simple shabdon mein hi to kaha hai Sir. SAmajh mein nahi aaya kya. Chalo main samjha deti hoon aapko. Us din aapne mere ghar par gundo se meri jaan bachayi thi na to wo aapka ek ehsan tha mere upar. jane anjane mein us din maine aapki jan bachai. ab hisab barabar ho gaya.


Sarita ki baat sunkar NIshchal ko bahut gussa aaya. wo gusse se dant piste huwe bola.


Nishchal- Tumhe har cheez majak lagti hai kya. aur ye kya ehsan ehsan laga raha hai tumne. tumhe lagta hai ki hamne ek doosre ki jan bachakar ek doosre par ehsan kiya hai.

Sarita- aap itna bhadak kyon rahe hain. Main to serious hi baat kar rahi hoon. aapko mere chehre ko dekhkar lagta hai ki main majak kar rahi hoon.

Nishchla- (gusse se) tumhara na dimag kharab ho gaya hai. tumhare dimag mein gobar bhar gaya hai. ab yaha par admit ho to jate jate apne dimag ki safai bhi karwa kar jana.

Sarita- Very funny. Agaar ye joks tha to mujhe bilkul bhi hansi nahi aayi.

Nishchal- Tumari to main. Tumhe kya main joker lag raha hoon. main tumhara manoranjan kar raha hoon kya jo tumhe hansi aayegi.

Sarita- Jokar se kam hain kya aap.

Nishchal- Haan main joker hoon to tum bhi koi nautanki wali lagti ho.

Sarita- main nautanki wali hoon to aap bhi hitlar se kam nahi ho.

Nishchal- Tum bhi jangli billi se kam nahi ho.


dono ki tu tu main main bahar baithi Savita ne sun liya aur wo kamre mein aa gayi aur gusse se boli.


Savi- Tum dono fir se shuru ho gaye. ye hospital hai tumhara ghar nahi hai jo ladna shuru kar diya tum dono ne. Mujhe ye samajh mein nahi aata ki tum dono ko problems kya hai. ek minute bhi akele rahte ho to ladna shuru kar dete ho.


Sarita- Ladai ki shuruaat inhone ki di.

Nishchla- Nahi di. Isne shuruaat ki ladai ki.

Savi- chup raho tum dono. Nishu tum niklo yaha se abhi ke abhi.


Savita ki baat sunkar Nishchal ne Sarita ko ghoorkar dekha aur Kamre se bahar nikal gayaa.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 53


Udhar Jab Manisha munh fulaye Sarita ke kamre se bahar nikli to Uske pichhe pichee use aawaz dekte huwe Raghv bhi bahar nikla. Manisha Raghav ki baat nahi sunti aur Hospital se bahar chali jati hai. Raghav Daudkar Uska hanth pakad leta hai to Manisha kahti hai.


Manisha- Hath chhodiye mera.

Raghav- ye to galat baat hai Manisha. Tum Mazak karo to Mazak, tum pareshan karo to tumhara sab chalta hai aur yahi maine kiya to tum gussa ho gayii.

Manisha- Didiya ke samne tumhe nahi karna chahiye tha ye sab. Didiya ke samne to kaise dant chamka chamka kar meri shikayat kar rahe the. Maza aa raha tha na mujhe pareshan karne mein aapko.

Raghav- Maaf kar do yaar, Mujhe pata nahi tha ki tum is baat ko itni seriously le logi. Nahi to main nahi karta.

Manisha- Thik hai pahle mera hath chhodo. uske baad kaan pakadkar do baar maafi aur mango.

Raghav- Ye to galat hai. Pareshan to tum bhi mujhe karti ho, lekin maine to tumhe kabhi nahi kaha mafi mangne ke liye. Ab main mafi mang raha hoon to tumhari demand badhti ja rahi hai.

Manisha- Agar maffi chahiye to ye karna padega.

Raghav- Thik hai mujhe bhi mauka milega fir bataunga tumhe main. Sorry, sorry, sorry, sorry,


Raghav ne mansiha ka hanth chhod kar apne dono hatho se apne kan pakadkar Manisha se mafi mangi Ye dekhkar Manisha hanste huwe boli.


Manisha- Are baas karo ab. Maine tumhe maaf kar diya. aur ek baat bataun main kabhi kisi baat ko seriously nahi leti. Ye sab maine aapko pareshan karne ke liye kiya tha. Hahahahaha


Manisha hanste huwe wapas Hospital mein chali gayi aur Raghav use jate huwe dekhta raha. Raghav ke chehre par Manisha ke is bartav par muskan aa gayi. Thodi der baad Doctor chackup ke liye aata hai aur Sarita ki janch karta hai. Janch karne ke baad Doctor Nishchal se kahta hai.


Docotr- Sir. Ab ye bilkul thik hain. Aap kal inhe ghar le ja sakte hain, lekin kuchh jaroori procisure hain jo aapko roj follow karne padenge.


Sabhi ye sunkar bahut khush huwe. Sabse jyada Khush to Manisha hui. Sarita ne doctor se kaha.


Sarita- bahut bahut dhanyawaad apka doctor. Ab mujhe kam se kam us sade khane se to chhutkara mil jayega. Poore munh ka jayka kharab ho gaya hai in dino.

Doctor- Ji bilkul nahi. Abhi aapko kam se kam 10 din tak sada khana hi khana padega.

Sarita- Ohhh nooo.

Sabhi ek sath- Ohhh Yessssss.

Doctor- main aapko ghar jane ki permission de raha hoonn miss, lekin aapko apna poora dhyan rakhna padega. Kyonki aapka right sida abhi thik se kaam nahi kkar raha hai to right side par jyada jor mat dijiyega. Nahi to aapko aur jyada takleef ho jayegi. Khane pine par vishesh dyan rakhiyega. Prakritik hawa Use kariyega. Baki aur baatein aapko sister samjha degi.

Sarita- Ookkk Doctor .Thank You so much.


Iske baad kuchh khas nahi huwa. Ye din isi tarah gujar gaya. Agle din Sarita ko liwakar sabhi ghar aa gaye. Khana khakar Aaram karne ke baad Raani ji ne Savita se kaha.


Rani ji- Beta. Is dino mein tumne, Raghav ne aur Nishchal ne ham logo ka bahut khyal rakha hai. Ab Ham log Sarita ko lekar Allahabad jana chahte hain. Isliye hame ab jane ki izazat do. Jaise hi Sarita bilkul thik ho jayegi wo wapas aa jayegi.


Ye sunkar Sahi Savita ka Chehra utar gaya. Us samay Nishchal aur Raghav Ghar par nahi the. Savita ne Raani ji se kaha.


Savi- Aunty ji. Kya Sarita ka jana jaroori hai. Kya Sarita yaha Achhe se nahi rah payegi. Kya ye Sarita ka ghar nahi hai. Kya ham Sarita ke kuchh nahi hain.

Rani ji- Aisi baat nahi hai bitiya. Mera kahne ka wo matlab nahi tha. Tum Khud hi is hafte kitni busy thi. apna kam bhi thik se nahi kar paayi. Tum ham logo ki aur Sarita ki seva mein lagi rahi. Ab hamm tumhe aur pareshan nahi karna chahte hain.

Savi- Ye aap kaisi baat kar rahi hain. Isme pareshani wali kya baat hai.

Rani ji- plz Savi. Maan jao na. Jab se Sarita yaha aayi hai tab se ek baar bhi ghar nahi gai hai. Kam se kam isi bahane ham log bhi kuchh din Sarita ke sath samay gujar lenge. Mana mat karna bitiya.

Savi- Aap Aisa kyon kah rahi hain Aunty. Sarita aapki beti hain. Uspar Mujhse kahi jyada hak aapka hai. Aap Uske apne sath le ja sakti hain, lekin aaj nahi. Aaj aap sab log yahi ruk jaiye. Kal nikal jaiyega aap sab.

Rani ji- (Khushi se) Jaisa tum kaho Savita.


Fir dono muskurate huwe gale lagi. Isi tarah din gujar gaya. Raat ko jab Nishcahl ghar aaya to Savita ne kaha.


Savi- Nishu. Kal subah Aunty Uncle aur Manisha ja rahe hain. Unke sath Sarita bhi ja rahi hai.

Nishchal- (chaukte huwe) Kya. Wo kyon ja rahi hai. Aise kaise ja sakti hai wo.

Savi- Kyon nahi ja sakti wo. Wo apne ghar jaye to isme burai kya hai.


Nishchal ko ab ehsas huwa ki wo kya bol gaya hai. Usne apni bat ko chhupate huwe kaha.


Nishchal- Di mera matlab wo nahi tha. Main to ye kahna chahta tha ki Uski dekhbhal to yaa bhi ho sakti hai. Fir use Ghar jane ki kya jaroorat hai.

Savi- Tum sahi kah rahe ho Nishu, Lekin Aunty aur Uncle use le jana chahte hain to main rok nahi sakti unhe. Aakhir wo unki beti hai.

Nishchal- Haan di. Shayad aap sahi kah rahi hain. Thik hai main kapde badal kar aata hoon.


Nishchal Savita se bahana banakar apne kamre mein chala gaya. Use bilkul bhi achha nahi lag raha tha ki Sarita usase door ja rahi hai. Uska chehra utar gaya tha.


Apne kamre mein jakar kuchh der baithe rahne ke baad Nishchal Sarita ke kamre mein chala gaya. Sarita ke sath Manisha bhi doosri charpai par leti hui thi, takii Sarita ko agar raat mein kisi cheez ki jaroorat pade to use koi pareshani na ho.


Nishchal ne halka sa dhakka diya to darwaza khul gaya. Sarita to dawai ke asar se bilkul bekhabar hokar so rahi thi, lekin darwaza khulne ki aahat sunkar Manisha ki neend khul gayi. Usne darwaze ke taraf deha to Darwaze par Nishchal khada tha.


Kamre mein halki Roshni thi to Dono ek doosre ko saaf dekh sakte the. Nishchal aur Manisha ki nigahein ek doosre se mili to Manisha doosri taraf karwat lekar late gayi. Manisha ke aisa karne se Nishchal ke chehre par muskan aa gayi.


Nishchal chalte huwe Sarita ke bed ke paas pahuch gaya. Nishchal bed ke paas khada hokar Sarita ko niharne laga. Kuchh der Sarita ko niharne ke baad Nishchal ne apna mobile nikala aur Sarita ki photo kheech li. Photo kheechne par ek kachhhhh ki aawaz aayi. Manisha ko pata chal gaya ki Nishchal ne Sarita ki photo kheechi hai.


Tasvir nikalne ke baad Kuchh der sarita ko niharta raha fir aage badhkar Nishchal ne Sarita ke Sir par hath phera Aur Jhukkar Sarita ke lalat par halka sa kiss kiya aur kamre se bahar jane laga. Bahar jane se pahle usne ek Najar Manisha ko dekha to wo Nishchal ki taraf dekh kar muskura rahi thi. Nishchal bhi muskurate huwe kamre se bahar nikal gaya.


Apne kamre mein pahuchkar Nishchal apne bister par late gaya aur Apna mobile nikal kar Abhi kheechi hui tasveer ko dekhne laga. Tasvir thodi si dhundhli aayi thi, kyonki Roshni kam thi, lekin fir bhi chehra saf saf dikh raha tha. Tasvir ko dekhte huwe wo apnea ap mein badbadaya.


Nishchal- Ab tum ja rahi ho to kuchh din tumhari tasvir dekhkar hi kaam chalana padega. Tum nahi rahogi to mujhe bilkul bhi achha nahi lagega. Kash aisa kuchh ho jaye ki tum jao hi na.

main to tumhe apne dil mein basa kar rakhna chahta hoon Sarita, lekin pata nahi jab tumhe is bat ka pata chalega to tum kaisa react karogi. Hey bhagwan kuchh aisa chamatkar kar do ki Sarita ke dil mein bhi mere liye feeling jaga do. Bahut Ehsan hoga tumhara mujhpar.


Yahi sab sochte huwe nishchal chain ki neend so gaya. Agli subah Joshi & Family ko nikalna tha to sabhi subah tadke hi uth gaye the aur fresh hokar nashte ki table par baithe huwe the. Nishchal bhi apne kamre se fresh hokar nashte ki table par baith gaya. Jab nashta shuru huwa to Manisha ko ek shararat sujhi to usne kaha.


Manisha- Tumhein pata hai didiya. Kal rat mein tum sote samay itni khoobsurat lag rahi thi ki man kar raha tha ki tumhari ek tasveer kheech lun.


Manisha ne ye baat Nishchal ko dekhte huwe kaha. Manisha ki baat sunkar Nishchal ka nashta uske gale mein atak gaya. Jisase use thaska laga aur use khansi aa gayi. Manisha ne turant uski taraf pani ka gilas badhate huwe kaha.


Manisha- main Sahi kah rahi hoon na boos. Waise aapko itni khansi kyon aa gahi hai.

Raani ji- Chup kar. Dikh nahi raha hai ki uske gale mein khana atak gaya hai. Pani pi lo beta. Khasi thik ho jayegi.

Nishchal- (Manisha ko ghurte huwe) Ji Aunty ji. (fir Manisha ki taraf dekhkar dhire se) Chhote miya tumhe to main baad mein dekhta hoon.


Nishchal ki baat sunkar Manisha ne bhi uski taraf jhukkte huwe dhire se kan mein kaha.


Manisha- Mujhse dushmani aapko bahut mahngi padegi boss. Allahabad mein main hi ek eklauti hoon jo aapka bhala sochegi. Jo didiya se aapki baat karwa sakti hai.


Manisha ko aise fusfusate huwe dekhkar Rani ji ne use dant-te huwe kaha.


Raani ji- Manisha. Tum pahle chupchap nashta kar lo. Uske baad khusar fusar karna.

Manisha- haan mummy. Kha to rahi hoon. Main to bas boss ko ye tips de rahi thi ki jab khansi aane lage to kya karna chahiye.

Raghav- Mujhe bhi bata dijiye Manisha ji. Mujhe bhi bahut khansi aati hai.

Manisha- (ghoorkar) Jab aapko khansi aayegi to main aapko khansi ki puri tips de dungi.


Manisha ki baat sunkar Sab hansne lage. Raghav thoda jhep gaya. Fir aise hi hansi Mazak karte huwe sab ka nashta khatam huwa. Fir Joshi & Family jane ki taiyari karne lage. Ghar se nikalte samay Savi ne Raani ji aur Aanand ji ke pair chhuwe. Fir Savita ne Sarita ko gale lagate hue kaha.


Savi- (Nam aankho se) Jaldi se thik hokar jaldi se aana. Mera man nahi lagega tumhare bina.

Manisha- Aap chainta mat kariye didi. Abhi 4-5 din mein hi mummy pareshan hokar didiya ko wapas bhej dengi.

Raani ji- (kan umethte huwe) Tu kuchh jyada hi bolne lagi hai ab Manisha.

Manisha- (chillate huwe) Are mummy Kya kar rahi ho. Mera kaan ukhad dogi kya. Chhodo mera kaan. Main didiya ke kamre mein dekhkar aati hoon ki didiya ki koi dawai to nahi rah gai hai waha par.

Aanand ji- Are waah. Meri Manisha kab se itni samajhdar ho gayi hai.

Manisha- main to bachpan se hi samajhdar thi papa, lekin aap logo ne kabhi dhyaan hi nahi diya.


Itna kahkar Manisha hanste huwe Sarita ke kamre ki taraf chali gayi. Sarita ke kamre mein pahuchkar usne kamre ka achhe se jayja liya aur wapas aane lagi, jaise hi wo darwaze par pahuchi. Apne kamre ki taraf jate huwe Raghav se takra gayi.


jaise hi wo girne ko hui Raghav ne use tham liya. Manisha bhi uski banh pakadkar latak gayi. thodi der aise hi rahne ke baad dono alag hokar khade ho gaye. Raghav ko dekhte huwe Manisha ne kaha.


Manisha- Itni toofan mail ki tarah kaha bhage ja rahe hain. Kuchh chahiye kya.

Raghav- Haan, ek jawab.

Manisha- Kaisa jawab.

Raghav- (Manisha ke kareeb aakar) ye main tumse bahut din se poochna chah raha tha par pooch nahi paya. Aaj soch raha hoon ki pooch hi loon.

Manisha- Kaun si baat.

Raghav- Jab tum pichhli baar Sarita ji ke janamdin par aayi thi. Jab Tum jane lagi thi tab tumne mujhe dekhkar apne kaan pakadkar kuchh ishara kiya tha. Wo kyat ha.

Manisha- Yahi bat poochni thi aapko.

Raghav- Ji haan.


Itna bolkar Raghav Uske aur kareeb aa gaya. Ab dono ke bich kuchh hi inch ka fansla tha. Manisha Raghav ki aankhon mein dekhne lagi aur Raghav Manishaa ki aankho mein dekhne laga. Raghav thoda aur aage huwa to Raghav ka chauda sina Manisha ke sine se takra gaya. Jiske karan Manisha ghabra gayi aur haklate huwe boli.


Manisha- wo..wooo… wo. Mai..main… nee aapko pare….pareshaan kiyaaa… th… thaaa naa. Isliyee maa….maafiii manggg. Rahii th…thiii.

Raghav- Achha Aur agar main ye kahu ki mujhe tumhara yuun mujhe pareshan karna, ladai jhagda karna, mujhe satana, mujhe chhedna achha lagta hai to tum kya kahogi.


Raghav ki baat sunkar Manisha Raghav ke chehre ki taraf dekhne lagi. Uske chehre par muskan thi. Jise Sunkar Manisha ki to bolti hi band ho gayi wo kuchh bolna to chah rahi thi, lekin uski aawaz bahar nahi nikal rahi thi. Manisha man hi man sochne lagi.


Manisha- Ye mujhe kya ho gaya hai yaar. Waise to meri juban din bhar chapar chapar chalti rahti hai aur ab jab bolne ka samay aaya hai to meri aawaz hi bahar nahi nikal rahi hai.


Manisha ke jawab na dena par Raghav ekdam uske kareeb lagbhag usase sat gaya aur bola.


Raghav- Batao Manisha . Kya kahogi tum.


Raghav ke ekdam usase sat jane ke karan Raghav ki sans uske chehre par pad rahi thi. Uske Shareer mein ek ajeeb si sihran daud gayi. Manisha Raghav ki aankho mein khone lagi.


Tabhi use hosh aaya aur usne apne pair ko poori takat se Raghav ke pair par maar diya aur waha se bhag gayi. Achanak huwe is hamle se Raghav ko kuchh samajh mein nahi aaya aur uske munh se tez cheekh nikal gayi. Nishchal turant uske paas aaya aur kaha.


Nishchal- Kya huwa bhai. Tu chillaya kyon.

Raghav- Wo breeks (eent) gir gaya tha mere pairo par.


Raghav ki baat sunkar Nishchal idhar udhar dekhne laga, lekin use kahi bhi breeks dikhayi nahi di to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Breeks. par yaha par to kahi par dikhayi nahi pad rahi hai .

Raghav- Ye apni investigation tum baad mein kar lena. Pahle main un logo ko station to chhod doon.

Nishchal- Are haan. Main isi liye to tumhe bulane aaya tha.


Raghav ne apne sine par hanth rakhkar chain ki sans lete huwe kaha.


Raghav- Bacha liya tumne bhagwan.


Uske baad Nishchal aur Raghav ghar se bahar aa gaye.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 28


Sarita ki baat sunkar Nishchal hospital se bahar chala gaya aur bahar jakar ek chaai ki dukan par baith gaya aur chhai ka order de diya. kuchh hi der me chaai aa gayi to Nishchal Chaai pine laga. Chaai ki dukan par lagbhag 1 ghante baithe rahne ke baad Nishchal Fir se Hospital ke andar aaya to usne dekha ki Sarita Ward me ladkiyo ke bister ke paas lage bench par bathkar so rahi hai.


Usne apne Sir ka take deewar se lagaya huwa tha. Uski gardan ek or jhuki hui thi. Jiske karan Sarita ki latein Uske chehre par aa gayi thi. jo seeling fan ki hawa ke karan lahrakar uske chehre ko chum rahe the. Jiske karan Sarita ka chehra aur bhi nikhar aaya tha. Nishchal to Sarita ke Is Roop ko dekhkar mantra mugdh ho gaya. Wo Sarita ko ektak niharne laga. Sarita ke chehre par duniya Jahan ko dhero masumiyat is samay chhai hui thi. Wo Sarita ke chehre ko dekhte huwe soch raha tha.


Nishchal- (apne man me) Dekho to Sote huwe kitni maSOOm dikhti hai. Aisa lagta hai jaise kuchh janti hi nahi. Kitni kashish hai Iske chehre par. Kisi ko bhi is roop ko dekhkar pyaar ho jaye. Lekin jab apna munh kholti hai to bap re baap. Jina mushkil kar deti hai. Ek baar bolna shuru karti hai to rukne ka naam hi nahi leti. Ise dekhkar kaun kahega ki isne bachha singh jaise shatir gunde ki naak me dam kar rakha hai. Sach me ye lady don hai.


Nishchal yahi sab sochte huwe Sarita ke paas pahuch gaya aur bade pyaar se uska chehra dekhne laga. Sarita ka chehra dekhte huwe use pata nahi kya huwa Usne apna hanth badhakar Sarita ke chehre par ud rahi uski lato ko uske kan ke pichhe karne ki koshish ki, is koshish me Nishchal ka hanth Sarita ke chehre par lag gaya Jisase Sarita ki neend khul gayi. Apne chehre par kisi ka hanth mahsoos hote hi sarita turant khadi ho gayi. Ye dekhkar Nishchal Hadbada kar pichhe hat gaya. Sarita ne Use ghurte huwe kaha.


Sarita- Ye kya badtamizi hai Aapki. Aapki himmat kaise hui mujhe chhune ki. Koi manner wagairah hai ya nahi ki kisi ladki ko bina uski izazat ke touch nahi karna chahiye.

Nischal- (harkate huwe) Are tu.... tum galat samajh rahi ho. main to wo tumhare chehre par kuchh laga huwa tha use hi saf kar raha tha.

Sarita- Mujhe pata hai ki aap kya karne ki koshish kar rahe the. Abhi mera mod bahut kharab hai. Aap jaiye yaha se. kahi aisa na ho ki mere munh se kuchh aisa nikal jaye jo aapko achha na lage.


Nischal uski baat sunkar chupchap bahar nikal gaya. Sarita fir se bench par Baith gayi aur thodi der baad use neend aa gayi. Subah Sarita ki Aankh pas me hone wali khat pat ki aawaz se khuli.


Sarita ne dekha ki Akkhu uske paas bench par hi baithi hui hai aur use dekh rahi hai. Sarita ne uske sir par pyaar se hath phera aur uske mathe par ek chumban ankit kar waha par upasthit nurse se kuchh baat karke apne kamre me chali gayi aur kaam marne chali gayi. Waha se fresh hokar wo PS chali gayi. usne thodi der PS ka kam kiya aur market chali gayi.


waha jakar usne Akku ke liye kapde aur shoes liye aur Hospital ke liye nikal gayi. Wo raste me hi thi ki tabhi Sarita ka phone bajne laga. Phone Savita ka tha to usne phone uthakar kuchh der me aane ke liye bol diya aur hospital me pahuch gayi.


Sabhi ladkiyon me Akku ki halat behtar thi isliye Wo Akku ko apne sath le jana chahti thi. Sarita ne Akku ko Kapde aur Shoes diye to wo khush ho gayi aur jaldi se taiyaar ho gayi. Sarita Usko lekar NGO pahuch gayi.


Sarita ne Savita ko phone kiya. Savita bahar gate tak aayi aur Sarita ko lekar Andar chali gayi. Waha ek bade se hall me Ye programme rakha gaya tha. Hall ko bahut hi achhi tarike se sajaya gaya tha. Hall ke bahar hi khane pine ki vyavastha thi.


Savita Sarita ko lekar Sabse Aage ki row me gayi. Sarita ne dekha ki Waha par bahut bade bade nami girami log cheaf guest banker aaye huwe hain, lekin ab Sarita bhi Us din ke action ke karan kafi famous ho gayi thi. Sabhi Sarita ko pahchan-ne lage the. Sabhi se Sarita ne Abhivadan kiya aur Wahi par khali kurhi par baith gayi. Akku bhi uski bagal me baith gayi. Stage par chhote bachhe apne karykram ki prastuti kar rahe the. Jise dekhkar Akku bahuty khush ho rahi thi aur tali bhi baja rahi thi.


Tabhi Use Nishchal aata huwa dikhayi diya jo usi ki taraf aa raha tha. Nishchal uske paas aaya aur Uske bagal ki khali chair par baith gaya. Sarita ne Use poori tarah se Ignore kiya aur man hi man use bhala bura kahne lagi.


Sarita- (man me) ye hitlar andha ho gaya hai kya. Ise aur koi jagah nahi dikhi poore hall me . Kahi bhi baith sakta tha, lekin nahi ise to mere sir ke upar aakar Nachna tha..


Man hi man sochte huwe Sarita ne Akku ko apne bagal se uthaya aur apni sheet par biatha diya aur Khud Akku ki sheet par baith gayi. Nischal ne Sarita ko ghoorkar ek najar dekha aur Samne ki taraf dekhne laga. Bich bich me wo Akku se bhi baat kar leta tha. Kuchhh der aise hi baithe rahne ke baad Nischal ne Akku se poocha.


Nischal- Aap bahut pyari ho. Aap ka naam kya hai beta.

Akku- Mera nam Akku hai Uncle. Aapka naam kya hai Uncle.


Akku ke munh se Uncle sunkar Nishchal hairan rah jata hai. Wahi Akku ka Nishcal ko Uncle bolne par Sarita se Chehre par muskan tair jati hai. Jaise hi Nishchal ki najar Sarita ki taraf jati hai use muskurate hhuwe dekhkar uske chehre par khisiyane wale bhav aa jate hain. Usne Akku se kaha.


Nischal- Akku beta. Main Uncle kahan se lagta hoon. Abhi meri umar hi kya hai.

Akku- Ab aap uncle lagte hain tabhi to maine aapko uncle kaha.

Nischal- To Agar main Uncle hoon. To us hisab se to aapke bagal me jo baithi hui hain wo aapki aunty hui na.


Nischal ne Sarita ki taraf ishara karte huwe Akku se kaha, Jab Sarita ne Nischal ki baat suni to wo Nischal ko ghoorne lagi. Nischal ki baat sunkar Akku ne kaha.


Akku- Nahi wo meri didi hain (FIR KICHH sochte huwe boli) Agar aap uncle hain aur aap didi ko aunty bol rahe hain to kya aap dono ki shadi ho gayi hai kya.


Nishchal Akku ki baat sunkar muskurane laga wahin Sarita Akku ki bat sunkar Sarita ne use ghoorkar dekha aur boli.


Sarita- Nahi Akku main tumhari didi hoon. Inko tumhe jo bulana ho wo tum bula sakti ho. agar tumne ab mujhe didi ke alava aur kuchh kaha to main tumse baat nahi karungi. Ab chupchap baithkar function injoy karo.


Sarita ki baat sunkar akku chupchap baithkar programm dekhne lagti hai. Thodi der baad kuchh bachhiyon ka dance performance hone lagta hai jise dekhkar Akku bahut khush hoti hai aur tali bajane lagti hai. Akku tali bajate huwe Sarita ko dekhte huwe puchhti hai.


Akku- Didi, Kya aap bhi is tarah ka dance kar Sakti hain. Agar aapko aata hoga to mujhe bhi sikha dijiyega. Mujhe dance karne ka bahut shauk hai.


Abhi Akku ki baat ka jawab Sarita deti. Isase pahle hi Nishchal bol pada.


Nishchal- Tumhari didi ko dance wance karna nahi aata. Tumhari didi ko ek kaam bahut Achhe se aata hai, wo hai ladna-jhagadna aur gussa karna. Agar tumhe ye sab sikhna ho to tumhari didi tumhe bahut ache se sikha sakti hain.


Akku- Nahi meri didi bahut achhi hai. Ye kisi se ladai jhagda nahi karti.

Nishchal- Lekin Mujhse to hamesha ladti jhagadti rahti hain.

Akku- Didi. Aap in uncle se kyon ladti jhagadti rahti hain.

Sarita- Mujhe pagal kutte ne kata hai. Jo main inse ladti jhagadti rahti hoon.

Nishchal- Sahi kaha. Mujhe bhi aisa hi lagta hai,

Saritai- Aap chupchap baith nahi sakte. Jab dekho mere pichhe hi pade rahte ho. Kya mil jata hai aapko aisa karke. Plz mera pichha karna chhod dijiye.

Nishchal- Oohhh Hello, Mere itne bhi bure din nahi aaye hain ki main tumhara pichha karu. Samjhi

Sarita- To fir Poora Hall me aapko yahi jagah mili thi baithne ke liye. Hall me itni jagah khali hai kahi bhi baith sakte the. To fir yahan par kyon aaye. Isase to yahi sabit hota hai ki aap mera pichha kar rahe hain.

Nischal- Kitni galat fahmi pal rakhi hai tumne mere bare me. Tumhari tarah mujhe bhi Invite kiya gaya hai. To main bhi first row mein baithne ka hakdar hoon. Isliye main yahan baitha. Aur ye baat apnne dimag se nikal do ki main tum jaisi nakchadhi ka pichha karunga. My foot.

Sarita- Mujhe nakchadhi kaha aapne. Aap bhi nakchadhe ho.


Sarita aur Nishchal ke bich me baithi Akku Samne chal rahe presentation ko chhodkar jab Sarita bolti to uski taraf dekhti aur jab Nishchal bolta to uski taraf dekhne lagti. In dono ki tu tu main main se tang aakar Akku ne kaha.


Akku- Didi. Mujhe bhookh lagi hai. Chalo na khana khate hain. Aap Kyon Uncle ke munh lag rahi hain.

Sarita- Sahi kaha tumne. Main kyon inke munh lag rahi hoon. Chalo khana khate hain.


Itna kahkar Sarita Akku ko lekar khane ke counter ki taraf nikal jati hain. Nishchal Un dono ko food counter ki taraf jate huwe dekhta rahta hai aur sochta hai.


Nishchal- (man me) Kya ladki hai yaar. Kitna bolti hai. Lagta hai isne galat profession chun liya hai. Ise to Politics me hona chahiye tha. Waha to ye sabki khatiya khadi kar deti.


Nishchal abhi ye sab soch hi raha tha ki tabhi Uske kandhe par kisi ne hanth rakha. Nishchal ne jab hanth rakhne wale insan ko dekha to Waha par Raghav khada tha.


(Raghav 23-24 Sal ka Ek bahut hi aakarshak yuvak tha. Wo Nischal ki tarah Agresive aur tej tar-rar nahi balki shant swabhav ka vyakti tha. Dono ki Dosti Bachpan Se thi, Ye dono dost kam bhaai jyada the)


Raghav ko dekhkar Nishchal bahut khush huwa. Usne turant uthakar usko gale laga liya aur bola.


Nishchal- Raghav mere bhai. Kaisa hai Yaar tu.

Raghav. Thik hoon bhaai. Tu apna bata.

Nischal- Main bhi bahut Achha hoon aur tere samne khada hoon. Tu kab aaya.

Raghav- Bas Abhi aaya aur tere paas hi chala aa raha hoon.

Nishchal- fir to di se abhi mila nahi hoga.

Raghav- Abhi nahi mila di se.

Nishchal- Kya karta hai bhai. Pitwayega kya mujhe. Agar di ne jaan liya to meri class laga dengi. Chal pahle di se mil le.


Nishchal aur Raghav dono Savita ke paas aaye. Raghav ne Savita ki aankh par apne dono hanth rakh diye. Savita ne uske hathon ke sparsh se turant use pahchan liya aur kaha.


Savi- Raghav. Tum aa gaye.

Raghav- Kya di. aap to mujhe hamesha pahchan leti hain.

Savi- Tujhe pata hai na ki tu mujhe kitna ajeej hai. Ek baar ko main Nishu ko pahchan-ne mein bhool kar sakti hoon. Lekin tujhe pahchan-ne mein kabhi bhool nahi kar sakti. tum kab aaye.

Raghav- Bas di. kuchh hi der hui hai. Aap ne bulaya tha to aana hi tha mujhe.

Savi- Safar kaisa raha tumhara.

Raghav- Bahut Achha Raha di.


Abhi Savi iske aage kuchh kahti Nishchal bich me bol pada.


Nishchal- Ye kya baat hui. Main bhi yahi par hoon. Mujhse to aapne kabhi itne pyaar se baat nahi ki. Aur Raghav ke aate hi mujhe bhool gayi aap di.

Savi- Tu to mere paas rahta hai. Raghav to mere paas nahi rahta na. to mujhe Raghav ko bahut pyaar karna hai. Achha ye sab chhodo. chalo khana khate hain. Ye Sarita kahan gayi. dikhayi hi nahi de rahi hai.

Nishchal- Jayegi kahan. Bhukkhad jo hai to khane ke stal par hi hogi wo dekho.


Sarita ko samne ki kursi par na pakar Savita ne uske bare mein jab nishchal se poocha to nishchal ne javab diya. uske jawab par savi ne kaha.


Savi- Kha rahi hai ye Akku ke pichhe hi pareshan hai. Chalo Raghav main tumhe usase milati hoon.

Nishchal- (chidhkar) Wo koi prime minister ye cheaf minister nahi hai jo aap usase milwane le ja rahi hain Raghav ko. Jangali billi hai wo.

Savi- To tumhe kya pareshani hai. Main tumhe to nahi le ja rahi hoon usse milwane.


Itna bolkar Savita Raghav ko lekar Sarita ke paas gayi aur kaha.


Savi- Are Sarita tum yaha ho aur main tumhe udhar dhoondh rahi thi.

Sarita- Wo Akku ko bhookh lagi thi to maine socha ise khana khila doon.

Savi- Sarita Isse mile. Ye hai Nishu ka dost aur mera Sabse pyara bhaai. Aur Raghav ye hain hamare Shahar ki sabse kabil, honhar, Aur Nidar police officer Sarita Joshi.


Dono ne ek doosre ko hello kaha. Kuchh der waha Rahane ke baad Savi na Sarita se kaha.


Savi- Achha tum log batein karo main thoda guest ko dekhkar aati hoon.


Itna kahkar Savita Waha se chali gayi. Uske jane ke baad Raghav ne Sarita se kaha.


Raghav- Aap wahi hain na jinhone abhi kal gundon ke hathon ladkiyon ko chhudaya tha.


Raghav ki baat sunkar Sarita ne apna sir haan mein hilaya to Raghav ne khush hote huwe kaha.


RAGHAV- Aapse milkar bahut khushi hui. Aapne sach mein bahut hi achha kaam kiya hai.

Sarita- Dhanywaad Raghav Ji.

Raghav- To aap yahi se hain kya.

Sarita- Ji nahi. Mera ghar Allahabad me hai. Ye meri pahli job hai aur posting yahan hui to mujhe yahan aana pada.

Raghav- To iska matlab aap yahan Akeli rahti hain.

Sarita- Haan. Ab job karni hai to rahna to padega hi.

Raghav- Achha… Nischal bhi to aapke hi department me hai na.

Sarita- (Munh banakar) Ji nahi wo to DSP hain to bas kabhi kabhi round ke liye aate rahte hain. Meri unse jyada baat nahi ho payi hai abhi tak.

Raghav- Achha. Aapko ek baat pata hai. Wo to mujhe bhi isi line me ghasit raha tha. Lekin mujhe is field me intrest nahi tha isliye maine mana kar diya use.

Sarita- (dhire se) Hitlar kahi ka. Apne dost par bhi hukum chalata rahta hai. Main to sochti thi ki ye mujhpar hi apna hukumm chalata hai.

Raghav- Aapne kuchh kaha kya??

Sarita- Nahi to. Wo main kah rahi thi ki aap kya karte hain.

Raghav- Wo apna bas ek chhota mota business hai. Bas usi me laga rahta hoon aur apna gujara ho jata hai.

Sarita- Aisa nahi hai Raghav ji. Koi bhi kaam chhota ya bada nahi hota. kam ke prati apni mehnat, Imandari aur nishtha hi use chhota bada banati hai.

Raghav- Aapki baat bilkul Sahi hai Sarita ji.


Idhar Nishchal ko ye baat achhi nahi lag rahi thi ki Sarita Raghav se baat kar rahi hai. Lekin uski majboori ye thi ki wo unke paas ja nahi sakta tha, nahi to sarita fir se bhadak sakti thi, isliye usne Raghav ko phone kiya to Raghav ne Sarita se kaha.


Raghav- Mujhe ab jana hoga. Nishchal ka phone aa raha hai.

Sarita- Haan Kyon nahi.


Sarita ka jawab sunkar Raghav waha se chala gaya aur Sarita Akku ko lekar Savita ke paas chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Hahahaha Lajawab update
Ye Tom and Jerry na jagha dekhte hai aur nahi mahul bad inhe to ladne se matlab hai bechari akku in dono ke bich baith kar pak gayi.
Raghav ke rup mai ek aur character ki entry ho chuki hai story dekhte hai inka kya role hoga kahani mai aur inke aney se agey kahani ko kya mood milta hai.
Overall Entertaining Update
BRAVO🙌
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 29


Raghav ke jane ke baad Sarita Akku ko lekar Savita ke paas chali jati hai aur Savita se kahti hai.


Sarita- Di. Kal subah hi doctor Sabhi bachhiyo ko discharge kar denge. To main soch rahi thi ki kal hi main unhe yaha par chhod doon. Jab tak unke mata pita nahi aa jate unhe lene ke liye. Aapko to pata hai ki mujhe PS ke kaam se kabhi kabhi bahut der ho jati hai kamre par lautne me to Inke liye mere kamre me dikkat ho jayegi.

Savi- To isme itna sochna kya. Kal sabhi bachhiyo ko lekar aa jana. Waise bhi nishu bhi yahi kah raha tha ki jab tak inke maa baap nahi aa jate inhe lene ke liye tab tak main un bachhiyon ko apne NGO me hi rakhu. Agar tum na bhi kahti tab bhi main unhe yahan rakhti.

Sarita- Kya sir ne aisa kaha. Chaliye achha hai koi to achha kaam kiya unhone. Thank You didi aapne meri itni badi pareshani door kar di.


Itna kahkar Sarita Savita ke gale lag jati hai. Thodi der gale lage rahne ke baad wo Savita se alag hoti hai aur usase kahti hai.


Sarita- Thik hai di ab main nikalti hoon. Subah mujhe PS bhi jana hai.

Savi- Itni raat ko tum kahan jaogi. Main tumhe jane ki parmission nahi de sakti. aisa karo aaj raat yahi ruk jao. Main Nishu aur Raghav bhi yahi rukenge. Subah yahi se PS nikal jana.

Sarita- Are nahi didi. Aap kyon takleef karti hain. Mujhe koi dikkat nahi hogi raat ko jane mein. Main chali jaungi.

Savi- Achha thik hai jab tum jana hi chahti ho to main tumhe nahi rokungi, main Nishu ko bol deti hoon wo tumhe kamre tak chhod aayega.


Sarita ne jab ye suna ki Hitlar ko use chhodne ke liye Savita bhej rahi hai to use us din wali ghanta yaad aa gayi jab raat me dinner ke baad Nischal use chhodne ghar aaya tha. Sarita ne socha ki Hitlar ke sath jane se achha hai ki main aaj raat yahi par ruk jaun. Yahi sochkar Sarita ne kaha.


Sarita- Are nahi di. main ja hi nahi rahi hoon. Main to majak kar rahi thi. main to ye dekhna chahti thi ki aap mujhe fir se kahnti hain ki nahi rukne ke liye.

Savi- (muskurate huwe) Haan main samajh rahi hoon Sarita ki tum majak kar rahi thi. Kyonki Nishu ke sath to tum jane se rahi. Achha ab tum dono mere sath aao chalkar sote hain.


Itna kahkar Savita use Aur Akku ko lekar ek kamre me chali gayi. bed par baithne ke baad Akku ne Sarita se kaha.


Akku- Kya ham yaha par rahenge didi.

Sarita- Haan. Kal se aap sabko yahi par rahna hai. Bahut maza aayega aap sabko yaha par. Yaha par aap sabko khelne ke liye bhi milega. Lekin abhi aap so jaiye. Raat bahut ho gayi hai. Subah jaldi se uthkar aap khel sakti hoo.


Akku ne Sarita ki baat sunkar apni aankhe band kar li aur thodi hi der me wo so gayi. uske so jane ke baad Sarita ne Savita se kaha.


Sarita- Kya aap hamesha raat me yahin par rukti hain kyaa.

Savi- Hamesha to nahi, lekin jab kabhi bhi koi function hota hai to main yahi par rukti hoon. Achha ab bahut raat ho gayi hai tum bhi ab so jao.

Sarita- Mujhe neend nahi aa rahi hai di. Kya main kuchh der bahar jakar baith sakti hoon.

Savi- Thik hai. Tab tak main bhi bahar ki sthithi dekh loon.


Dono baat karte huwe bahar ki taraf aane lage. Dono jaise hi kamre ke darwaze ke paas pahuchte hain Bahar se kamre me aa rahe Nischal se Sarita ki takkar ho jati hai. Dono ke sir aapas me takra gaye.


Huwa yun tha ki Nishchal apne mobile se baat karte huwe Sir niche kiye huwe kamre me aa raha tha aur Sarita Savita se baat karne me vyast thi, dono me se kisi ka bhi dyan ek doosre ki taraf nahi tha. Sir me takkar ho jane se Sarita aur Nischal done ne apna sir pakadkar kaha.


Sarita- Kaun hai yaar. Dekh kar nahi chal sakta hai kya.

Nischal- Kaun hai……….


Iske aage ke shabd uske munh me hi rah gaye jab usne samne ki taraf dekha. Sarita bhi Nischal se kuchh nahi bolti bas apna sir sahlati rahti hai. Savi ne dono se kaha.


Savi- Chalo apna sir ek baar fir se ladao.

Sarita- (hairani se)- Kyon.

Savi- Agar dobara sir nahi ladaya to pagal kutta kat lega.

Sarita- Kyaa baat kar rahi hain dii. Sir na ladane se pagal kutta kaise katega.

Nischal- Apne danto se katega aur kaise katega.

Sarita- (ghoorkar) maine aapse poochha kya ?

Nishchal- to tumko bata hi kaun raha hai. Main to di ko bata raha tha.

Sarita- Dekho jyada Smart ban-ne ki koshish mat karo aap. Samjhe.

Nishchal- main kyon smart banunga. Main to bachapan se smart hoon.

Sarita- chup rahiye aap nahin to..

Nischal- Nahi to kya. Kya kar logi tum.


Dono ki tu tu, main main fir se shuru ho gayi. Savita ne bich me rokte huwe kaha.


Savi- Bas karo tum dono. Jab dekho tab tum dono shuru ho jate ho. na jagah dekhte ho aur na hi samay dekhte ho. pahle jo bola hai wo karo.

Sarita- Main in sab baton ko nahi manti di.

Nishchal- (ekdam dhime se) Mat mano. Jab pagal kutta katega tab pata chalega.

Sarita- Dekhiye jo bhi bolna hai aapko wo samne se boliye. Aise madhumakkhiyon ki tarah bhinbhinana band kar dijiye.

Nishchal- tum Kya samajhati ho ki main tumse darta hoon jo tumhare samne bolne me main thar thar kanpne lagunga.

Sarita- Darte ho tabhi to makkhi ki tarah bhinbhina rahe ho.

Savi- (gusse se) Bas bahut huwa tum dono ka bachho ki tarah jhagadna. Agar abhi bhi tum dono shant nahi huwe to main tum dono ko ek kamre me band kar dungi. Fir ladte rahna dono raat bhar. Kab se kah rahi hoon chup ho jao chup ho jao lekin meri baat samajh me hi nahi aati tum dono ko.

Nischal- (Ekdam se) Mujhe koi problem nahi hai kamre me band hone me.

Sarita & Savi- Kya kaha ???

Nischal- (man me) Are Yaar. Ye kya bol gaya main. Pata nahi dono kya soch rahi hongi mere bare me. (fir Savi se) woo…. Dii.. mera matlab tha ki mujhe sir wala jo matter hai usake liye main taiyaar hoon.

Savi- Achha tum iske liye taiyar ho. main to kuchh aur samjhi thi.


Savi ki baat sunkar Sarita Nischal ke bagal me jakar khadi ho gayi aur apne sir se uske sir me halki si takkar mar di aur Savita se kaha.

Sarita- Ab to maine dobara sir lada diya hai. Ab to pagal kutta nahi katega na.


Sarita ki baat sunkar Savita jor jor se hansne lagi. Tabhi pichhe se Raghav ki aawaz aayi.


Raghav- Kyaa di. Abhi tak aapki Mazak karne ki aadat nahi gayi hai.

Sarita- (Chaunkar) Mazakkk.

Raghav- Haan ye jo abhi didi kar rahi thi na ye inki bahut purani aadat hai. Main ye sir ladane wali hi baat kar raha hoon. Di hamesha aise hi karti thi. agar kisi ka sir galti se doosre se takra jata tha to di hamesha uska sir doosri baar ladwati thi. is chakkar mein kai baat jhagda bhi ho jaya karta tha jab doosri baar gusse ke karan koi bahut jor se apna sir doosre ke sir par marta tha. Ye dekhkar didi maza leti thi. ye pagal kutta wutta kuchh nahi kat-ta. Ye to bas didi Mazak me bola karti thi. Are pagal kutta katne se jyada to didi pahle hi unka sir phodwa deti thi.


Raghavv ki baat sunkar Sarita Savi ki taraf hairan hokar dekhne lagi thi. Udhar Nishchal ka koi phone aa jata hai to wo waha se bahar chala jata hai. Sarita ke hairani se dekhne ke karan Savi usase kahti hai.


Savi- Are Sarita aise mat dekho mujhe. Maine to ye Mazak sirf tumhara mood thikk karne ke liye kiya tha. Iske alava mera koi aur irada nahi tha.

Sarita- Koi baat nahi di. ab main bahar ja kar baithti hoon.


Itna kahkar Sarita bahar aa jati hai aur kuchh hi doori par lagi bench par aakar baith jati hai. Kuchh der baad Raghav bhi waha aa jata hai aur bench ke doosre kone par baith jata hai. Baithne ke kuchh der baad Raghav Sarita se kahta hai.


Raghav- Lagta hai aap ne didi ki baato ka bura man liya.

Sarita- Nahi Raghav ji. Mujhe di ki baat ka bilkul bhi bura nahi laga.

Raghav- Agar di ki baat ka aapko buran ahi laga to fir aap yaha par aakar kyon baith gayi hain.

Sarita- Are aisi baat nahi hai. Aaj di ko maine pahli baar itna khush dekha hai. Unko dekhkar aaj mujhe apni chhoti bahan ki yaad aa gayi. wo bhi aise hi hansti muskurati rahti hai.

Raghav- Di aisi hi hain Sarita ji. Sabko Hamesha Khush rakhne ki koshish karti rahti hain. Aap mujhe hi dekh lijiye. Unse mera khoon ka Rishta nahi hai. Fir bhi wo mujhe apna bhai manti hain. Nishchal se jyada wo mujhe pyaar karti hain.

Sarita- Kya aap unke sage bhai nahi hain??

Raghav- Nahi Sarita ji. Di se meri mulakat NGO me hui thi.

Sarita- Ohhhh Achha. To aap bhi NGO me kam karte hain.

Raghav- Nahi to. Main to aapko pahle hi bata diya hai ki main ek chhota sa business karta hoon. Darasal baat ye hai ki main ek anath hoon. Main bhi in bachhon ki tarah NGO mein rahta tha. Wahi par meri mulakat Di aur Nishchal se hui thi. Nishchal ne mujjhe apna dost ban aliya aur di ne mujhe apna bhaai. Aaj Di, Nischal aur unke mummy papa hi mere pariwar hain.

Sarita- Ohhhh. I Am Sorry, Mera irada aapka dil dukhane ka nahi tha.

Raghav- Are nahi sarita Ji. Isme soryy ki koi baat hai hi nahi. Achha ab raat bahut ho gayi hai. Main sone ja raha hoon. Good night.

Sarita- Good Night.

Itna bolkar Raghav sone ke liye chala gaya. Kuchh der baithne ke baad Sarita bhi sone ke liye chali gayi. wo jakar Akku ke bagal me late gayi aur neend ki aagosh me chali gayi. Subah Sarita ki neend Savita ka jagane se khuli.

Savi- Good Morning Inspector Sahiba. Aapko Duty par nahi jana kya?


Sarita jhatne se apne aankhe khol di aur idhar udhar dekhne lagi. Sarita ne Savi ko dekhkar kaha.


Sarita- Good Morning Di. Aap yaha kaise di.

Savi- Yaha kaise ka kya matlab. Achha ab samjhi. Tum apne ghar par nahi ho. tum meri NGO me ho. Ab uth jao.

Sarita- Sorry di. maine socha ki main apne kamre me hoon aur aap subah subah mere kamre me aa gayi hain.

Savi- Wo sab chhodo. Tumne jo karnama kiya hai uski khabar aaj bhi News papar me chhai hui hai. Har taraf tumhare hi charche hain. Sarita

Sarita- Are di. maine aisa kya kar diya.

Savi- Achha. To bachhiiyo ke rescue karna koi aasan kam tha kya. Aur kah rahi ho maine aisa kya kar diya.

Sarita- Achha aap uski baat kar rahi hain. Wo to mera farz tha di. 8 baj gaye hain mujhe PS bhi jana hai to main chalti hoon abhi. PS se hospital jakar bachhiyo ko lekar aa jaungi main. Akku ko main yahi par chhod deti hoon.


Sarita aur Savita sath me hi ghar jane ke liye nikalte hain. Bahar aane ke baad Savita ne Ek gadi ki rafar ishara karte huwe kaha.


Savi- Sarita Raghav kuchh kam ke silsile me usi taraf ja raha hai maine use bol diya hai. Wo tumhe tumhare quarter tak chhod dega. Wo us gadi me baitha hua hai.

Sarita- Thik hai di.


Itna kahkar Sarita Savita ki batayi hui gadi ki taraf jane lagti hai. Jab wo us gadi ka gate kholkar usme baithne lagti hai to use us gadi me Raghav ki jagah Nishchal baitha hua dikhayi deta hai. Use dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Sorry. I think main galat gadi me aa gayi hoon.


Itna kahkar Sarita bahar nikalne lagti hai to Nischal ne uska hanth pakad liya aur kaha.


Nishchal- tum bilkul sahi gadi me baith rahi ho Sarita. Raghav di ko chhodne ja raha hai.

Sarita- Dekhiye mera hanth chhodiye. Main auto se chali jaungi.

Nishchal- Kahi nahi ja rahi ho tum. Ab chupchap gadi me baitho. Di ne bola hai tumhe drop karne ke liye to mujhe koi drama nahi chahiye. Main di ko kya jawab doonga.

Sarita- Di ne aapko nahi Raghav ko bola tha mujhe drop karne ke liye. Isliye aap mera hanth chhodiye.

Nishchal- Ab chahe Raghav ko bole ya mujhe bole. Baat to ye hai ki tumhe drop karna hai. Ab wo main drop karun ya Raghav drop kare.

Sarita- (masoomiyat ke sath) Achha Mera hanth chhodiya. Main kahin nahi ja rahi hoon. Aap hi mujhe drop kariyega.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ko dal me kuchh kala laga. Wo sochne laga ki ye jangli billi itni aasani se man kaise gayi. jaroor kuchh soch rahi hogi. Fir bhi Nishchal ne Sarita ka hath chhod diya. Sarita ka hath chhutne bhar ki der thi ki Sarita gadi ka gate kholkar 9-2-11 ho gayi aur road ki doosri taraf bhag gayi. Nishchal ke chehre par muskan aa gayi aur usne apnea ap se kaha.


Nischal- Mujhe pata tha ki iske man me kuchh n kuchh jaroor chal raha hai. Aakhir itni aasani se kaise maan gayi ye. Apni aadat se kabhi baaz nahi aayegi ye ladki. Mujhe iska hanth chhodna hi nahi chahiye tha. Jangali billi..


Sarita road ke doosri taraf khadi auto me baith gayi aur apne quarter ki taraf chal padi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Good update with amazing writing 🙌
 
Member
324
1,026
93
UPDATE- 32


Sarita Apne ghar walo se baat kar rahi thi jo use uske janamdin ki badhai de rahe the. Sarita apne ghar walo se baat karke bahut khush thi. Uski aankho me aanshu aa gaye the. Nishchal apni hatheli par apna chahra rakhkar Ek tak Sarita ko dekhe ja raha tha. Pata nahi Kyon Par Nishchal ko bilkul bhi achha nahi lag raha tha Sarita ki Utsukta dekhkar. Wah apne gharwalo se door thi. Janamdin ke mauke par bhi Ghar walo se door rahna kitna mushkil hota hai. Ye Nischal ko achha nahi lag raha tha lekin wo kuchh kar bhi nahi sakta tha.


Use Yaad aata hai ki jab wo bhi akela rahta tha to kisi Khushi ke mauke par wo bhi bhawuk ho jata tha. Abhi to uske sath uski Savi di rah rahi thi. Par jab wo Akela rahta tha to use bahut hi yaad aati thi apne ghar ki. Uska man karta tha ki wo jakar un sab logo ko pite jo ye kahte hain ki ladka hai. Aaram se ghar ke bahar rah Sakta hai. Unhe koi fark nahi padta. Unhe ghar ki yaad nahi aati. Wagairah Wagairah.


Sarita ki baat ho chuki thi aur wo baat karne ke baad Paas me rakhe bed par baith gayi. Uske chehre par udasi saf dekhi ja sakti thi. Nishchal kursi par baitha Sarita ki hi taraf dekh raha tha. Sarita ko dekhte huwe Usne kaha.


Nischal- Achha ab to tumhari baat ho gayi hai. Ab ye bhi bata do ki mujhe Kyon roka tumne.

Sarita- (man me) Are yaar Kitna Akdu insan hai. Hitlar kahi ka. Abhi iske samne hi itni der se main baat kar rahi hoon. Ise bhi maloom chal gaya hoga ki aaj mera janamdin hai. Fir bhi ek baar bhi iske baare me mujhse baat nahi ki. Vish bhi nahi kiya abhi tak. Waise main kyon Soch rahi hoon itna. Is hitlar ke vish ke liye main mari thode hi jar ahi hoon.


Sarita ko chup chap sochte dekh Nischal ne chutki bajate huwe kaha.


Nishchal- Miss Joshi, Miss Joshi, Kaha kho gayi tum. Maine kuchh poocha aapse.

Sarita- Wo haa… kahi.nahi….. Achha mujhe ye bataiye ki Aapko kaise pata chala ki koi mujhe marna chahta hai aur aaj hi mujhe marna chahta hai.

Nishchal- Wo sab chhodo. Jab kuchh der pahle main tumhe call kar raha tha to tum kisase baat kar rahi thi.

Sarita- (Hairani se) Aapne kab mujhe call kiya.

Nischal- Ye poochhne se pahle apna phone chack karo.


Sarita ne apna phone dekha to usme 4 miss call padi thi jo Nishchal ki thi. Miss call dekhne ke baad Sarita ne kaha.


Sarita- Haann.. Soryyy. Maine dhyan hi nahi diya.

Nischal- maine tumhe kitni baar mana kiya ki in sab chakkaro me mat pado, ye bahut khatarnak log hain, lekin tumne to meri baat kabhi bhi na man-ne ki kasam kha rakhi hai. Abhi bhi jab maine tumhe kaha tha ki main tumhare Munh se hath hata raha hoon. Aawaz mat karna, lekin tum. Itni tez tez bol rahi thi ki bahar se logo ko pata chal jaye ki aawaz kahan se aa rahi hai. Tumhe us samay ho kya gaya tha. Mere samjhane ke baad bhi tum meri baat nahi mani.


Nischal ki baat sunkar Sarita hadbada gayi, Kyonki us samay to wo kisi aur hi duniya me thi, usne Nishchal ki baat hi nahi suni thi. Wo hadabadate huwe nishchal se boli.


Sarita- kuchhh nahii.. Kuchh bhii too nahii.. Pahle maine jo.. poocha hai aapse wo bataiye mujhe.

Nischal- To Apne boss ko hi order de rahi hoo tum.

Sarita- Haan de rahi hoon order. To bataiye mujhe.

Nishchal- Main kyon bataun tumhe. Tum meri wife nahi ho ki tum mujhse kuchh bhi poocho aur main tumhe bata dooga.

Sarita- (gusse se) Ye Kya faltu ki bakawas kar rahe hain aap. Ek to wo aadmi pata nahi kya kya anargal bate kar raha tha aur ab aap bhi shuru ho gaye. Shant rahiye aap bilkul bhi.

Nishchal- Haan faltu insan ko har baate faltu hi lagti hain. Abhi to tum bol rahi thi ki main tumhe wo baat bataun aur abhi bol rahi ho ki main chu prahu.

Sarita- Are yaar. Jo puch rahi hoon wo bataiye na.

Nischal- Are yaar. Matlab Main yaar ho gaya tumhara. Ab aage pata nahi kya kya banaogi mujhe tum.


Nishchal ki baat sunkar Sarita ne apne hanth jod liye aur Nischal se kaha.

Sarita- Ab Plz mujhe aur pareshan mat kariye aur main jo pooch rahi hoon uska jawab de dijiye. Agar aap kahiye to main aapke pair bhi pad leti hoon.

Nischal- Nahi Uski jaroorat nahi hai. Aaj ke liye itna hi kafi hai. Mujhe apne mukhbir se khabar mili thi ki tumhari jaan khatre mein hai. Tumhe koi marna chahta hai. Main tumhari tarah kisi baat ki aadhi adhori jankari nahi rakhta hoon.

Sarita- Bade aaye mujhe sikhane wale. Agar wo mujhe marna chahte the to mujhe kahi par bhi maar sakte the. Fir unhone mujhe ghar me hi marne ki koshish kyon ki.

Nishchal- (chidhkar) Mujhe kya pata. Abki baar jab wo tumhe fir se marne aaye na tab tum unhi se hi pooch lena ye bate.

Sarita- Had hai yaar. Aap kisi bhi baat ka siddha jawab nahi de sakte hain kya.

Nischal- Tumhe sidhi baat kabhi samajh me aati hai kya jo mujhse sidhe jawab ki ummeed karti ho. Tum khud apna dimag nahi laga sakti. PS me tumhe aakar maarenge kya ye log. PS se tumhara nikalne ka samay bhi fix nahi hai ki ye log tumhe raste me target karein. Fir bacha ye ghar. Isase Achhi aur aasan jagah aur kya ho sakti hai unhe apna kam poora karne ke liye.

Sarita- Haan ye baat to sahi kahi aapne.

Nishchal- thik hai. Kal se tum mere ghar me rahogi di ke sath.

Sarita- (hairan hote huwe) Kyon. Main kYon rahungi aapke ghar me. Miann nahi rahungi aapke yahan.

Nischal- Jitna kah raha hoon. Tum utna hi karo. Mujhe tumse is bare me bahas nahi karni hai. Samjhi tum.

Sarita- Aap hain kaun jo main aapki baat manu. Aap kahi ke judge hain jo aapne ek baar bol diya to uspar koi bahas nahi ho sakti. Main nahi rahne wali aapke ghar par.

Nishchal- Main CO ke post par hi thik hoon. MUjhe judge mat banao. Maine jitna kaha hai tumse utna karo.

Sarita- Main aisa kuchh bhi nahi karne wali Samjhe aap.

Nischal- Tumhari pareshani kya hai haan. Mujhe samajh me nahi aata ki tumhara upar ki manjil me kuchh hai ya ekdam khali padi hui hai. Tumne meri baat na man-ne ki kahi mannat mang rakhi hai kya.

Sarita- Nahi. Maine ek baar bol diya to bol diya. Main nahi aane wali aapke ghar.

Nishchal- (gusse se) bhad me jao tum. Jo man ho tumhara wo karo.


Itna kahakr Nischal bahar jane lagta hai. Tabhi kuchh sochkar wapas mudta hai aur Sarita ki taraf aane lagta hai. Sarita sochne lagti hai ki ab ise kya ho gaya hai. Fir se dimag chatega mera. Kahi mujhe abhi apne sath ghar to nahi le jane wala. Tab tak nishchal uske paas pahuch chuka tha. Sarita ke paas aakar nishchal ne apna hanth aage badhaya aur kaha.

Nishchal- Happy Birth Day Miss Joshi.


Nischal ke aisa kahne se Sarita ek tuck Nishchal ko dekhne lagti hai use to yakeen hi nahi ho raha tha ki Nishchal use Janamdin ki badhaai de raha hai. Sarita ko apni taraf ektuch ghoorta huwa pakar nishcal ne usase kaha.


Nischal- Aise kya dekh rahi ho Miss Joshi. Main tumhe janamdin ki badhaai de raha hoon. Tumhari jaan nahi mang raha hoon. Jo mujhe ghoor rahi ho.


Abhi Sarita kuchh bolti iske pahle hi Nishchal ka phone bajne lagta hai. Nischal jab phone dekhta hai to Savita ka phone tha. Nishchal uska phone dekh phone cut kar deta hai, lekin yaha par wo galti se cut karne ke bajay receive ka batan daba deta hai aur phone ko cut samajhkar jeb me phone wapas rakh leta hai. Phone wapas jeb mein rakhne ke baad Sarita bolti hai.


Sarita- haan kah to aise rahe hain jaise bahut jaldi bol diya mujhe. Main kab se intzar kar rahi thi lekin abhi koi matlab nahi rah gaya hai.

Nishchal- Tum had karti ho yaar.


Itna kahkar Nishchal 2 kadam aur Sarita ke paas chala gaya is daruan jab usne apna tisra kadam uthaya to uska pair bed se niche aa gayi chadar me fans gaya jiska ek sira uske doosre pair se daba huwa tha.


Pair chadar me fans jane ke karan wo apne aapko sambhal nahi pata aur ladkhadate huwe Sarita ke upar gir padta hai. Par Sarita ne turant apna bachav karte huwe apna hath uske sine par rakh kar use apne sine par girne se rok diya. Jiske karan dono ke bich ek doori ban jati hai.


Sarita ne apna hanth uske Sine par Rakha tha, Sarita ko aisa mahsoos ho raha tha ki Nischal ke sine ki dhadkarn bahut tez gati se chal rahi hai. Sarita ka bhi yahi haal tha. Dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Ek doosre ki aankho me dekhte huwe dono lagbhag kho se gaye. Yahi Sthiti lagbhag 5 Minute tak bani rahi.


Na Sarita ne Nishchal ko apne upar se hatne ke liye kaha aur na hi apne hanth se use dhakka dekar hataya. Aur na hi Nishchal ne uske upar se uthne ki koshish ki. Nishchal ke phone par bajane wali ringtone ne us dono ko vastvikta ke dharatal par la patka. Sarita ne nishchal ko apne upar se dhakka dekar pare kiya aur uthkar khadi ho gayi. Nishchal ne apna phone nikal kar dekha to phone Savita ka tha. Nishchal ne phone uthaya aur kaha.


Nishchal- Hello di.

Savi-Nishu kaha hai tu. kitni raat ho gayi hai aur tu abhi tak ghar nahi aaya.

Nishchal- Haan di. kuchh kaam me fans gaya hoon. main ghar nahi aa paunga aaj shayad.

Savi- mujhe pata hai tumhara jaroori kaam aur kaha par hai tu ye bhi pata hai mujhe. tu itni raat ko Sarita ke paas kya kar raha hai.


Savi ki baat sunkar Nishchal chauk gaya. Use samajh nahi aa raha tha ki Uski di ko kaise pata chala ki wo Sarita ke yaha par hai. use dar nahi tha ki uski di uske bare me kuchh galat sochegi, Kyonki Savi ko NIshchal par poora bharosha tha. Nischal ne Sarita se kaha.


Nishchal- Haan di main Sarita ke paas hi hoon. jaldi hi nikalta hoon yaha se.


Udhar se Savita ne phone rakh diya. Sarita ne jab ya suna to uski aankhe badi ho gayi. wo gusse se Nishchal ko dekhne lagi. jaise use kacha chaba jayegi. tabhi Nishchal ne isi baat ka phayda uthakar Sarita ko pareshan karne ki sochi aur jhoth moth ke phone kan ke paas lagaye huwe kaha.


Nishchal- Ab main Kya batauun di. Isi ne mujhse jid ki ke aaj raat mujhe iske sath rahna hai to main kya karta. maine bhi socha ki main iski baat maan leta hoon. nahi to ye aapse meri shikayat karegi.


Sarita ne uski baat sunkar use gusse se dekhne lagi. Nishchal ne usko ignore karte huwe kaha.


Nishchal- Nahi di aap bilkul bhi fikar mat kariye. main iske sath iske kamre me hi sounga.


Sarita ne jab ye suna to wo turant Nishchal ke paas pahuchi aur uske hanth se phone cheenkar apne kan me lagate huwe kaha.


Sarita- Nahi di aisa kuchh bhi nahi hai. maine inhe nahi bulaya. ye khud aaye hain yaha. inhone aapse jo bhi kaha hai sab jhooth hai. maine inhe kuchh baat karne ke liye rukne ke liye kaha tha.


doosari taraf se jab koi aawaz nahi sunai di Sarita ko to wo 2-3 baar hello hello boli. jab udhar se koi aawaz nahi aayi to Sarita ne phone ki screen par dekha to waha par koi call nahi dikhi Sarita ne Jab Nishchal ki taraf dekha to wo jor j0r se hans raha tha. Nishchal ko hansta huwa dekhkar Use samajhte der na lagi ki Nishchal ne use chutiya banaya hai. use pareshan kiya hai. ye samajh me aate hi Sarita ne kaha.


Sarita- Aapne ye bilkul bhi achha nahi kiya. main aapko chhodungi nahi.


itna kahkar Sarita Nishchal ko marne ke liye daudi. Ye dekhkar Nishchal apne apko bachane ki koshish karne laga. isi pakadam pakadai me Sarita ka pair bed ke paruwa (paya) me ulajh gaya aur wo niche girne ko hui to Nischal ne furti dikhate huwe Sarita ko tham liya.


tumblr-e615c4084213561262ffe4f624a6eb07-b42cc3b6-400

Sarita ne bhi girne se bachne ke liye apna hanth chalaya to ek Nischal ke kandhe par aur ek hanth Nishchal ki chaudi chhati par aa gaya. Nishchal ne Sarita ko dono hantho se uski kamar ko tham rakha tha. Is samay Sarita jhuki hui Nishchal ki baaho me thi. dono ek doosre ki aankho me dekhne lage. Sarita ko aisa prateet ho raha tha ki Uske hanth ke niche Nishchal ka dil bahut tezi se dhadak raha tha.


Nishchal ke dhadkan ki aawaz sunkar Sarita ke dil ki dhadkan bhi tez ho gayi. Uske honth fadfadane lage. sharir me ek anchahi sihran si daudti chali gayi. dono ek doosre ki aankho me dekhte huwe kho se gaye. dono bahut der tak ek doosre ki aankho me khoye rahe. dono ka dhyaan Sarita ke phone ne toda, jis par kisi ka phone aa raha tha.


Nishchal hadbadate huwe Sarita ko khada kiya Sarita ne sharam ke mare apni najare jhuka li aur phone Sarita ki saheli ka tha jise receive karke apni Saheli se baat karne lagi. jisne use janamdin ki badhai dene keliye phone kiya tha.


Thodi der Sarita ne apni Saheli se baat karne ke baad phone rakha aur apni najar upar uthayi to Nishchal waha par nahi tha. Sarita bed se niche utar kar bahar aayi aur idhar udhar dekhne lagi. magar Nishchal use kahi dikhayi nahi pada to Sarita ne Use aawaz lagayi.


Sarita- Nishchal Sir. Aap kaha par hain.


Magar Use Nischal ki aawaz nahi sunai padi. Nishchal Sarita ke yaha se chala gaya tha. Sarita ne apne kamre ka darwaza band kiya aur Apne bister par late gayi aur sone ki koshish karne lagi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
So ab dono ki dhadakane badhni lagi 😍
Dekhte hai ab agey ka safar kaisa hai.
BRAVO 🙌
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Hahahaha Lajawab update
Ye Tom and Jerry na jagha dekhte hai aur nahi mahul bad inhe to ladne se matlab hai bechari akku in dono ke bich baith kar pak gayi.
Raghav ke rup mai ek aur character ki entry ho chuki hai story dekhte hai inka kya role hoga kahani mai aur inke aney se agey kahani ko kya mood milta hai.
Overall Entertaining Update
BRAVO🙌
धन्यवाद आपका महोदय।
इनकी लड़ाई तो सारी कहानी में चलती रहती है। जहां मन होता है वहीं शुरू हो जाते हैं।

साथ बने रहिए।।
 

Top