Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Member
324
1,026
93
UPDATE- 55


Raat ko khana khana khane ke kuchh samay baad Manisha ka mobile bajne laga. Manisha ne dekha ki koi unknown no. se call aa raha hai to usne phone nahi uthaya. Ring band hone ke baaad ek baar fir se mobile bajne laga to Manisha ne phone utha liya,


hello hello bolne par udhar se koi aawaz nahi aayi to Manisha ne phone rakh diya. 10 Second baad phir se usi no. se call aaya. Manisha ne phir se phone uthaya aur hello hello baolne lagi, magar doosri taraf se koi jawab nahi aaya. Isi tarah Do baar aur hua lekin udhar se fir se koi jawab nahi aaya.


Manisha ne phone rakh diya. Abhi usne phone rakha hi tha ki fir se uska mobile bajne laga aur wahi no. se call aane lagi. Ye dekhkar Manisha ka para high ho gaya aur usne phone uthakar gusse se chillana shuru kar diya.


Manisha- Kaun hai sala Udar. Pagal wagal ho gaya hai kya tu. jab tujhe baat karni hi nahi hai to baar baar phone karke pareshan kyon kar raha hai. Agar dobara phone kiya na to phone mein ghuskar marungi aur itna marungi ki dobara phone karne layak nahi rahoge.

Tum jante nahi main kaun hoon. Meri didiya Inspector hai. Agar use bata diya to do minute mein tumhari hekdi nikal jayegi. Samjhe ki nahi Chal ab phone rakh.


Manisha ke phone rakhne se pahle hi doosri taraf se aawaz aayi.


Udhar se- Main darta nahi hoon tumhari didiya se Samjhi. Agar tumhari didiya Inspector hai to mera bhai bhi DSP hai. Samjhi ki nahi.


Manisha ko ye aawaz jani pahchani lagi Manisha ne uchhalte huwe kaha.


Manisha- Tum. To ye tum ho.

Raghav- Are waah Kyaa baat hai. Tumne to hamari aawaz pahchan li. Iska matlab hai ki mujhe bahut miss kiya ja raha hai. Agar aisi baat hai to bol do main aa jata hoon tumhare paas.

Manisha- (tunakkar) Yaad kare meri juti. Ho gayi tumhari bakwas. Ab phone rakho.

Raghav- Main bakwas nahi kar raha hoon.

Manisha- Phone rakho. Mujhe tumame aur tumhari baato mein 1% bhi interest nahi hai.

Raghav- Jhooth mat bolo. Agar tumhe mujhmein koi interest nahi hai to tum Jaunpur se Allahabad jate samay mujhe train ke darwaze se jhank jhank kar kyon dekh rahi thi. batao batao.


Raghav ki baat sunkar Manisha ke chehre par sharam ki lali chha gayi. Usne Raghav ko koi jawab nahi diya to Raghav ne kaha.


Raghav- Batao Manisha. Maine kuchh poochaa hai tumse.

Manisha- Tum na apni bakwas band karo. Aisi faltu ki baato ke liye mere paas samay nahi hai. Mujhe abhi bahut se kaam karne hain ab phone rakho.


Raghav kuchh bolta isase pahle hi Manisha ne phone kaat diya. Phone katne ke baad Manisha ne mahsoos kiya ki uski heartbeets bahut badh gayii hai. Uske hanh kanp rahe hain. Lekin use samajh mein nahi aa raha tha kyon.


Udhar Raghav phone katne ke baad mobile ko chum liya aur muskurane laga fir apne sine par hath rakhte huwe bola.


Raghav- Bhag lo Jitna bhagna ho. Ek din main tumhe bhi wo ehsas karwaunga apne liye jo main tumhare liye mahsoos karta hoon Manisha.


Udhar Sarita ko Allahabaad aaye huwe 3-4 din bit gaye the. Sarita ko kahi na kahi Us guldaste ki aadat si ho gayi thi. Phichhle kuchh dinon mein Ek anjan sakhs use phool bhejta tha, jiski charcha poora PS mein thi.


Sarita shuru shuru mein irritate hokar wo guldasta kudedan mein fenk deti thi. ya waise hi pade rahne deti thi, Fir Hospital mein bhi roj Use phulo ka guldasta Milta tha. Lekin Jab se allahabaad Aayi thi tab se use us guldaste ki yaad aa rahi thi.


sath mein Sarita ye soch rahi thi ki aisa kaun sa vyakti hai jo use Roj guldasta bhejta hai wo bhi bina naam ke. Use un guldasto se aur Use bhejne wale us anjan sakhs se kuchh lagav bhi ho gaya tha.


Chauthe din Wah apne kamre mein baithi hui apne mobile mein kuchh kar rahi thi. tabhi uske mobile par ek phone aaya jo ki Unknown NO. se tha. Sarita ne Phone kaat diya. Kuchh seconed baad Phir se usi NO. se phone aaya. To Sarita ne Phone utha liya.


Sarita- Hello


Doosri taraf se call karne wala koi aur nahi Raghu tha. Raghu ne kaha.


Raghu- Sarita ji. Ab aap kaisi hain. Aap apne ghar Allahabad chali gayi aur hame bataya bhi nahi.

Sarita- Aap kaun hai aur mujhse kya kaam hai aapko.

Raghu- Kaam to hai aapse. Tabhi to maine aapko phone kiya hai.

Sarita- Ji kaam bataiye.

Raghu- Aap apne Allahabad wale ghar ka pata de sakti hain mujhe.

Sarita- Aapko mere ghar ke pate se kya lena dena.

Raghu- Wo kya hai na Sarita ji. Ab aap to yaha se chali gayi hai. To wo guldaste to mujhe Allahabad mein bhijwane padenge na. Isliye aapse pata mang rahe the ham.


Uski baat sunkar Sarita ko samajh mein aa gaya ki ye vyakti wahi hai jo use roj Guldaste bhejta hai. Sarita uske baare mein aur jan-na chahti thi isliye usne kaha.


Sarita- Achha to wo aap hi hain jo mujhe roj guldaste bhejte the.

Raghu- Ji haan Sarita ji. Main wahi nacheej hoon.

Sarita- Ye to galat baat hai na ki aap mujhe guldaste bhi bhejte the to apni pahchan chhupakar. Iski koi khas wajah.

Raghu- Main khud aapse milkar Aapko Surprize dena chahta tha. Isliye maine guldaste ke sath kabhi apna naam nahi bheja aapko.

Sarita- wo sab to thik hai. Lekin Aap is tarah anjan banker mujhe roj guldaste bhejte the. Jo mujhe bilkul bhi achha nahi lagta tha. Agar aap samne se milkar mujhe guldaste dete to mujhe bahut Khushi hoti.

Raghu- Aap ek baat kahiye to. Aapki Khushi ke liye main kuchh bhi kar sakta hoon.

Sarita- To fir thik hai. Aapko mujhse milna hoga. Taki main aapko dekh saku aapko jaan saku.

Raghu- Haan Kyon Nahi Sarita ji. Par meri ek shart hai.

Sarita- Are waah. Pahli baar hi baat kar rahe hain aap mujhse aur pahli baar mein hi shart rakh di aapne.

Raghu- Ji nahi Sarita ji. Aap meri baat ka galat matlab nikal rahi hain.

Sarita- Hahahahaa. Chaliye bataiye Aapki shart kya hai.

Raghu- Meri shart ye hai ki main aapko jaha bulaunga waha milne ke liye aapko aana padega.

Sarita- Ye Kya baat hui. Ek to main aapko janti bhi nahi thik se. Upar se aap ek ladki ko bula rahe hain apni pasand ki jagah par milne ke liye.

Raghu- Aaap bulkul bhi pareshan mat hoiye. Main aapko pareshani mein nahi dekh sakta. Aap mujhpar bharosha kar sakti hain.

Sarita- Thik hai. Main bharosha karungi aap par, lekin meri bhi ek shart hai.

Raghu- Ji shart nahi Sarita ji aadesh kariye aap.

Sarita- Jagah to apki pasand ki rahegi, lekin Aapko Allahabad mein mujhse milne aana padega aur jo jagah aap choose karenge wo ekant nahi public place hona chahiye. Tabhi main aapse milne ke liye aaungi.

Raghu- Aapki baat sir Aankho par Sarita ji. Main Allahabad mein hi koi jagah dekhta hoon milne ke liye.

Sarita- Thik hai Fir. Ab main phone rakhti hoon. Baad mein baat karenge.


Sarita ne ye bolkar phone rakh diya. udhar Raghu ke chehre par ek gahri muskan aa gayi.


Idhar Nishchal ka Sarita ke bina man nahi lagta tha. Wo Sarita ke aane ke baad Do baar PS ja chuka tha. Waha par wo Sarita ke cabin mein kuchh der baithta aur fir wapas chala jata. Sarita to use Phone karti nahi thi.


Kabhi Kabhi Manisha Sarita se uski baat karwa deti. ya video call par SArita ko chupke se dikha deti jab Sarita gahri neend mein soi rahti. Uski Harkat par Sarita ko kuchh shak sa hone laga. Lekin Manisha itni tez thi ki Sarita ka shak chutkiyo mein door kar deti thi. Ek din Sarita ne manisha se kaha.


Sarita- Main aajkar dekk rahi hoon ki Tu Sir se bahut jyada baat karti hai kya baat hai jo tu din bhar unke sath phone par chipki rahti hai.

Manisha- Hmmmmm to aapko kya problems hain. meri marzi. Aap bhi kar liya karo baaat maine mana to nahi kiya hai aapko baat karne se. to mujhe kyon suna rahi hain.

Sarita- Main dekh rahi hoon ki aajkar teri juban bahut jyada chalne lagi hai. har samay patar patar karti rahti ho.

Manisha- Are yaar didiya. tumhari problem kya hai. main bolti hoon tab bhi aapko problems hoti hai aur chup rahti hoon tab bhi aapko problems hoti hai. aakhir aap chahti kya hain.

Sarita- Mujhe kya problems hogi. main to bas aise hi bol rahi thi. mujhe kya hai chahe jisase baat kar tu, lekin thoda padhai likhai par bhi dhyan diya kar. har samay phone mein hi mat ghusi raha kar.

Manisha- Ho gaya aapka bhashan. ab main jaun ya abhi aur bhi sunana hai.

Sarita- (muskurakar) Nahi aaj ke liye itna hi kafi hai. ab tum jao.


Sarita ki baat sunkar manisha waha se chali gayi. Sarita baithe baithe bor ho rahi thi to usne kuchh sochte huwe Raghu ke number par phone kar diya, lekin wo number band bata raha tha, SArita ke kai baar koshish ki lekin har baar wo number band hi aaya. Sarita ne phone rakh diya aur chat par tahalne ke liye chali gayi.


udhar jaunpur mein Raghu Heera ko lekar bahut pareshan tha. Wah gusse se baukhlaya huwa tha Kyonki uski lakh koshisho ke baavzood bhi Heera ko wo jamanat nahi dilwa paya tha.


Udhar boss aur Sarkar ne bhi apni poori koshish ki use bahar nikalne ke liye, lekin Is baar Nishchal ke hatho mein subut ke taur par CCTV ki video clip thi jisko dikhakar Nishchal ne Court se Usko apne remand mein rakhne ka Order le liye tha. Isliye In sabhi ka Heera ko jamanat par chhudwane ka prayash asafal hi raha tha.


Agle din Raghu apne adde par baitha huwa Heera ko riha karwane ke bare mein soch raha tha ki tabhi uske man mein ek khyal aaya aur uske chehre par muskan aa gayi. Raghu apne mein hi badbadane laga.


Raghu- Sarita. Main tumse pyaar jarur karta hoon lekin tumse jyada pyaar main apne kaam aur apne aap se karta hoon. Chahe jo bhi ho jaye Ab tum hi heera ko bahar nikalne mein meri madad karogi.

main bhi dekhta hoon ki Wo DSP kab tak Heera ko apni kaid mein rakh sakta hai. Tumhari madad se main bahut jald heera ko Un logo ki kaid se chhudwa lunga. ab aaye ga mazaa.


kuchh plan dimag mein aate hi RAghu ne Sarita ko phone kiya. Sarita ne apna mobile dekha to kisi unknown Numbar se phone aa raha tha. Sarita ne phone uthaya to udar se Raghu ne kaha.


Raghu- Hello Sarita ji.

Sarita- Hello. Ji aap kaun.

Raghu- Kya Sarita ji. aap to hamari aawaz bhi nahi pahchan pa rahi hain. Are ham wahi hain guldaste wale.

Sarita- Achhaa aap hain. lekin aapne doosre number se phone kyon kiya. kal wala number ka kya huwa.

RAghu- Are Sarita ji. wo number band ho gaya hai.

Sarita- Achha Achha. Fir bataiye. Phone kisliye kiya hai aapne.

Raghu- Wo aapne milne ke liye kaha tha na. to ham aapko ye batane ke liye phone kiye hain ki …………………. Mall ke bagal wala jo park hain na Usi mein milte hain.

Sarita- Ji thik hai. Jaisa aap kahe. to aap samay bata dijiyega mujhe main aa jaungi.

Raghu- Thik hai Kal sham ko hi rakhte hain. Kya aap akeli aayeni ye kisi ke sath mein.

Sarita- Nahi. main akeli hi aaungi, lekin main aapko pahchanungi kaise.

Raghu- Are aap fikar mat kariye. main to aapko pahchanta hoon na. main khud aapke paas aa jaunga.

Sarita- Thik hai fir. kal milte hain bye.


Itna kahkar Sarita ne phone kaat diya. Fir sarita Sochne lagi ki wo thikk to kar rahi hai na kisi anjan se milkar, kahi kuchh galat na ho jaye usase milne ke chakkar mein. kahi main koi galti to nahi kar rahi hai wo guldasta wale se milkar.

Ek baar mil lene mein kya harz hai. ye roj roj ki jhanjhat se kam se kam fursat mil jayegi. aakhir wo hai kaun aur aise chhup chuup kar guldasta kyon bhejta tha isi bahane pata chal jayega . is anjan se ek din milna hi tha.

aakhir ek do din agar phool bhejta to koi baat nahi thi. main sochti ki kisi ne bheja hoga, lekin mahine bhar lagatar phool bhej raha tha jaise pholon ki dukan ho iske paas. jo bhi ho ek baar mil hi leti hoon. jara main bhi to dekhon ki ye mahashay hain kaun.


fir kuchh khaas nahi hua aur aaj ka sara din bit gaya. Agali subah Sarita ne Rani ji se kaha.


Sarita- Mummy. main soch rahi thi ki main thoda bahar shahar ghumkar aaun.

Raani ji- Abhi tum poori tarah se thik nahi hui ho, isliye main tumhe bahar jane ki ijajat nahi de sakti hoon.

Sarita- Lekin mummy main din bhar ghar mein baithi baithi bor ho gayi hoon. isliiye soch rahi hoon ki thoda ghum fir aau. meri boriyat door ho jayegi.

Raani ji- Thik hai. main tumhe akele jane nahi doongi. tum jate huwe manisha ko bhi sath mein le jana. aur jaldi se ghoomkar aana.

Sarita- Thik hai mummy. jaisa aap kahein.


Raani ji se ijajat milne ke baad Sarita ko ab Manisha ko manana tha. Sarita ko pata tha ki manisha ko shoping mein bahut dilchaspi hai. shoping ke naam par wo kahi bhi jane ke liye taiyar ho sakti hai to Sarita ne socha ki manisha ko shoping ka lalach dena padega. tabhi aage baat ban sakti hai. yahi sochkar wo Manisha ke paas aayi aur boli.


Sarita- Manisha main kya soch rahi thi ki kyon na aaj ham dono thoda shoping karne chale.


Manisha ne ye sunkar Sarita ki taraf aashcharya se dekha aura age badhkar uske sir par hath rakhkar kaha.


Manisha- Aap ye kaisi bahki bahki baate kar rahi ho didiya. tumhari tabiyat to thik hai na.

Sarita- (hairani se) matlab tum kahna kya chahti ho. meri tabiyat ko kya huwa. kya tum chahti ho ki main beemar padi rahu hamesha.

Manisha- Are nahi didiya. mera wo matlab nahi tha. main to ye soch kar pareshan ho gayi thi ki tum padhaai ke alawa mujhse baat karna jaroori nahi samajhti. aur shoping ke naam se hi tumhe bukhaar ho jata hai to aaj aisi kya baat ho gayi jo tum shoping ke liye bol rahi ho. wo bhi mujhe sath le jana chahti ho. isliye mujhe laga ki shayad tumhari tabiyat thik nahi hai.

Sarita- Main bilkul thik hoo. wo to main aise hi pooch rahi thi. agar tumhe chalna hai to chalo nahi to main akele hi chali jaungi.

Manisha- (turant) Chalna hai didiya, Kyon nahi chalungi main. bas tum time batao main taiyar milungi tumhe.

Sarita- Thik hai Manisha. Sham ko chalna hai.

Manisha- Thik hai didiya main taiyar rahungi.


Sham ko dono taiyar hokar mall jane ke liye nikl Gai.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Bechare nischal ka haal to behal bana huwa hai nayi nayi muhabbat hai aur jisse muhabbat hai wahi dur ja baithi hai apne ghar mai ab nischal bhi sirf miss karne ke alawa aur chote miyan se jankari lene ke alawa kya karsakta hai.
Raghav ka dil humari manisha par agaya but yaha abhi manisha confuse hai apni feelings ko lekar ab dekhte hai in dono ki agli mulakat kaise aur kab hoti hai aur us mulakat mai hume kitna maza ayega.
Raghu ne finally sarita se Baat ki yaha sarita bhi usey miss kar rahi thi ki akhir kon hai jo usey flowers bhej raha tha but yaha raghu ne heera ko chodane ke liye bhi koi plan soncha hai sarita ke zariye ab dekhna ye hoga ki kya sarita raghu ke jaal mai fasegi ya yaha samay rehte chote miyan dwara boss ko is khabar lagegi aur wo raghu ke barey mai pata lagayega?
Overall Awesome update
BRAVO 🙌
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Bechare nischal ka haal to behal bana huwa hai nayi nayi muhabbat hai aur jisse muhabbat hai wahi dur ja baithi hai apne ghar mai ab nischal bhi sirf miss karne ke alawa aur chote miyan se jankari lene ke alawa kya karsakta hai.
Raghav ka dil humari manisha par agaya but yaha abhi manisha confuse hai apni feelings ko lekar ab dekhte hai in dono ki agli mulakat kaise aur kab hoti hai aur us mulakat mai hume kitna maza ayega.
Raghu ne finally sarita se Baat ki yaha sarita bhi usey miss kar rahi thi ki akhir kon hai jo usey flowers bhej raha tha but yaha raghu ne heera ko chodane ke liye bhi koi plan soncha hai sarita ke zariye ab dekhna ye hoga ki kya sarita raghu ke jaal mai fasegi ya yaha samay rehte chote miyan dwara boss ko is khabar lagegi aur wo raghu ke barey mai pata lagayega?
Overall Awesome update
BRAVO 🙌
बहुत बहुत धन्यवाद आपका महोदय।।
निष्चल बेचारा कर भी क्या सकता है। जिससे प्यार से बात करनी चाहिए सरिता को उससे दूर भागती है और जिससे दूर भागना चाहिए उससे प्यार से बात करती है।।
राघव और सरिता के प्यार में कोई रुकावट नहीं है। दोनों को ये एहसास हो गया है कि उनके दिल मे एक दूसरे के लिए कुछ है।
सरिता रघु से मिलने जाने वाली है। बहुत कुछ होने वाला है।।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Dono update jabardast full Romantic story ban rahi ye lekin ishme thriller bhi aayega mujhe lagta hai
धन्यवाद आपका महोदय।
आगे थ्रिल आने वाला है।

साथ बने रहिए।।
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 56


Sham ko dono taiyar hokar mall jane ke liye nikli. Raani ji ne Manisha ko Sarita ka dhyan rakhne ke liye bol diya tha. Manisha ne Raani ji ko aashwashan diya ki wo Sarita ka barabar dhyan rakhegi. mall jyada door nahi thi. unke ghar se 4 kilomiter ka distance tha.


Manisha ne scooty nikali aur Sarita ko bitha kar mall ki taraf chal di. mall se kuchh doori par hi Aanand ji ke jan-ne wale ki shop thi to Sarita ne Scooty wahi khadi karne ke liye kaha aur paidal chalne ke liye manisha se kaha. Us shop se 500 miter ki doori par mall tha.


dono bahne scoty wahi khadi kar paidal hi mall ki taraf chal padi. Paidal chalte huwe manisha ki bak bak shuru ho gayi use kya lena hai kis disine ka lena hai wo Sarita ko bata rahi thi. Sarita bhi haan mein haan mila rahi thi.


Tabhi Sarita ne mahsoos kiya ki koii unka pichha kar raha hai. Sarita ne jaise hi pichhe dekha waha par koi nahi tha. bas do char aadmi paidal chale aa rahe the. lekin use koi aise nahi dikha jispar shak kiya ja sake. Sarita apne man mein sochne lagi.


Sarita- (man mein) Ye mujhe police ka bhoot har samay kyon chadha rahta hai. Us hitlar ki tarah hi main kyon sochne lag jati hoon. Ye to road hai yaha to koi bhi aa ja sakta hai. log normal aa ja bhi rahe hain. par main yaha bhi apna pulisiya dimag lagane mein lagi hui hoon.


Thodi der mein hi dono bahnein mall mein pahuch gayi. waha pahuchne ke baad Sarita ne kaha.


SArita- Manisha aisa karo tum jakar jo bhi kharidna ho wo kharid lo.

Manisha- Lekin shoping karwane to tum mujhe lekar aayi ho. to tum kaha ja rahi ho. mummy ne mujhe aate wakt kaha tha ki main tumhare sath hi rahu.

SArita- Main kahi ja nahi rahi hoon. main jyada der tumhare sath nahi ghoom sakungi andar bheej jyada hogi to mere jakhmo par bhi lag sakti hai chot. main yaha niche hi baithi rahungi. tum aaram se jakar shoping kar lo. jab shoping ho jaye to mujhe phone kar dena. waise bhi tumhari choise bahut achhi hoti hai to tum mere liye bhi apni pasand ka kuchh khareed lena.

Manisha- Thik hai didiya. lekin tum idhar udhar mat jana.

Sarita- Thik hai meri maan. ab tum jao main yahi par rahungi.


Sarita ki baat sunkar manisha shoping mall ke andar chali gayi. udhar Manisha ke andar jane ke baad Sarita bhi Mall ke paas wale park ki taraf chal padi.


Kuchh doori par khada raghu Use jate huwe dekh raha tha. Fir Raghu ne apna phone nikala aur kisi aadmi ko phone lagaya. 2-3 minute baat karne ke baad wo gusse mein phone kat-te huwe bola.


Raghu- Sale ek kaam bolo to wo bhi dhang se nahi kar sakte. Lagta hai ab mujhe hi kuchh karna padega. Bas heera kuchh din aur ruk jao fir main tumhe unki kaid se aazad karwa lunga.


Itna kahkar Raghu ne ek muskan ke sath apni muthhiya bheejte huwe park ki taraf chal pada. Udhar Sarita Park mein pahuch kar ek khali bence par baith gayi.


Usne apna phone nikala aur Raghu ke number par phone kiya, lekin wo number bhi band bata raha tha. Sarita ne phone wapas apne hand bag mein rakha aur chupchap baithkar aas paas ka najara karna lagi. Tabhi use pichhe se Raghu ne aawaz di.


Raghu- Sarita ji.


Apna nam sunkar Jab Sarita ne pichhe dekha to Uske samne 6 fit ka ek lamba chauda aadmi khada tha. ekdam dekhne mein handsom. rang gehuwa, clean shave aur baal salike se bane huwe the.


SArita ne use dekha to dekhti hi rah gayi. Raghu ka first impression Sarita ke dil par chhap chhod chukka tha. Sarita use dekhti rahi. Tabhi wo aadmi uske paas aakar khada ho gaya aur apna hath aage badhate huwe kaha.


Raghu- Hey. I am guldaste wala.


Sarita ko uska apna introduction dene ka andaz bahut achha laga aur wo hansne lagi. fir Sarita ne apna hanth jodkar usase Namaste karte huwe kaha.


Sarita- Hello, main Sarita Joshi.


Ye dekhakr Raghu ne apna aage badhaya huwa hath pichhe kheech liya aur use dekhkar muskurate huwe bola.


Raghu- I am Empressed Sarita ji. Waise ab aapki tabiyat kaisi hai Sarita ji. Jisko jan-ne ke liye ham itni door se yaha aaye hain.

Sarita- Ab pahle se behtar hai Ji. Aap to meri tabiyat phone par bhi jan sakte the. uske liye aapko itni pareshani uthane ki kya jaroorat thi.

Raghu- Isme pareshani ki kya baat hai. Aapke liye kuchh bhi kar sakta hoon Sarita ji. Yaha aane ka ek aur karan tha. aapse samne se mulakat karna.

Sarita- Aap samne se to Jaunpur mein bhi mujhse mulakaat kar sakte the. Fir itni door aane ki kya jarurat thi aapko.

Raghu- Are Sarita ji aisa kuchh nahi hai. Waise bhi main kisi kaam se Allahabad Aaya tha. Islie Aapse milne ka programme banaane maine..

Sarita- hmmmmmm. to mr. guldaste wale. Aapka to koi naam bhi hoga na. to aap apna naam to bataiye. warna main aapko guldaste wala hi kahkar bulaungi.

Raghu- Naam mein kya rakha hai Aap kuchh bhi bula sakti hain Sarita ji. Mujhe to is bat ki khusi rahegi ki aap mujhe janti hai. ek aur baat ye nam to mere original naam se bhi achha hai Guldaste wala.


Itna kahkar Raghu jor jor se hansne laga. SArita bhi uski baat sunkar muskurane lagi. Sarita ne aage kaaha.


SArita- Wo to sab thik hai, magar fir bhi Normal introduction to hona hi chahiye na.

Raghu- Aap bilkul sahi kah rahi hain Sarita ji. par baki apna introduction agli mulakat mein doonga. ab to ham dono dost ban chuke hain. ham to yahan bas aapse milne ke liye aaye the. ham aapse bahut prabhavit hain.

aap ke kam karne ka tareeka mujhe bahut pasand hai. Mujhe sabse jyada pasand aapki imandari hai. Aap jitni sundar hain usase bhi jyada bahadur aur chalak hain. main aap jaisi police ofiicer aaj tak nahi dekha. Mujhe aapse milkar bahut khushi hui.

Sarita- (muskurate huwe) Aapka dhanyawad is tareef ke liye. Lekin ham dono dost kab bane mr.

Raghu- Dekhiye Sarita ji. Meri taraf se prastav hai dosti ka jo aapki taraf se pending hai agar aap mere prastav ko approve kar dengi to hamari dosti bhi ho jayegi.

Sarita- Impresive. Aap bate bahut achhi karte hain. Mujhe bhi aapse milkar bahut achha laga. lekin ek nivedan hai aapse mera.

Raghu- Are Sarita ji aap hokum kijiye. banda aapke hokum ki tameel karega.

Sarita- (muskurate huwe) Aap please Aage se mujhe guldasta na bheja karein.

RAghu- Lagta hai aapko ham pareshan karte hain.

SArita- Nahi isme pareshan karne wali koi baat nahi hai. Bas mujhe achha nahi lagta ki koi mujhe guldaste wagairah bheje.

Raghu- Thik hai Sarita ji aapka aadesh sir aakhon par.

Sarita- Dhanywaad aapka. To kya aap Jaunpur se yaha sirf mujhse milne aaye hain ya koi aur kaam tha aapko yaha.

Raghu- main to pahle hi bata chuka hoon iske bare mein Sarita ji. Bas ye samajh lijiye ki kaam to ek bahaana tha. Ham to bas bas aapse milne ke liye aaye hain.


ye baat Raghu ne ekdam gambhir hokar kahi.


Uske baat Sarita aur Raghu mein baton ka silsila shuru ho gaya. Sarita Jitna Raghu se baat kar rahi thi utna usase impress hoti ja rahi thi. Raghu har baat nap tol kar aur bahut hi savdhani se bol raha tha.


Jisase sarita ko koi shak bhi nahi ho raha tha. sarita ko uski bato se lag hi nahi raha tha ki wo koi gunda mawali type ka banda bhi ho sakta hai. Bato baton mein Sarita ne wo baat bol di jo raghu me man mutabik hi thi. Sarita ne Raghu se kaha.


SArita- So sweet of you. Agar mere layak koi sewa hogi to aap mujhe jaroor bataiyega. mujhe bahut achha lagega ki main aapki koi madad kar paun. jaunpur mein aapko koi pareshan kare bevajah to aap behichak mujhe bataiyega. main aapki poori poori madam karungi.


SArita ki baat sunkar RAghu ke chehre par muskan aa gayi. Raghu ne SArita se kaha.


RAghu- Waise to main khud har musibat ka samna karne mein saksham hoon, lekin kabhi bhi mujhe aisa laga ki mujhe apne inspector dost ki madad ki jaroorat hai to main aapki madad jaroor loonga.

Sarita- Ji jaroor.


Tabhi Sarita ka phone bajne laga. SArita ne dekha ki phone Manisha ka hai. to Sarita ne phone uthaya.


SArita- Haan manisha.

Manisha- Kaha ho didiya tum. main kab se niche khadi hokar aapko dhoondh rahi hoon, lekin aap dikhai nahi de rahi ho. kaha chali gayi ho aap.

SArita- Main bagal wale park mein hoon.

Manisha- Waha kya kar rahi ho aap. maine aapko yahi baithne ke liye kaha than a.

Sarita- Mera man nahi laga waha par to park mein chali aayi.

Manisha- Thik hai wahi rukiye main aati hoon waha par.

Sarita- Thik hai aao.


Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya to Raghu ne poocha.


Raghu- kaun tha phone par.

Sarita- meri bahan thi. wo shoping kar rahi thi. to main yaha aa gayi. abhi wo free hui thi to mujhe dhoondh rahi thi.

Raghu- Ooohhhh Achhaaa.


Thodi der mein Manisha waha pahuch gayi. Manisha ye dekhakr chauk gayi ki Sarita Park mein kisi aadmi se baat kar rahi hai. Sarita ke paas pahuch kar manisha ne kaha.


Manisha- ye kaun hai didiya.

Sarita- Mere dost hain.

Manisha- Kya. ye kaun sa dost hai aapka. Allahabaad mein aapke gine chune dost hai jinko main janti hoon. par inko to pahle kabhi nahi dekha. fir ye aapke dost kaise.

Sarita- Ye Allahabaad se nahi. ye Jaunpur se aaye hain.

Manisha- Kisliye

Sarita- Are Yaar kitna sawal karti ho tum. Mujhse milne aaye hain, mera hall chall poochne aaye hain. Ab samjhi ya aur samjhana padega.

Manisha- To Inse park mein milne ki kya jaroorat thi isne yaha milkar baat karne ki kya jaroorat thi. ye tumse milne aaye hain to inhe ghar lekar chalte hain. Aakhir itni door se aaye hain tumse milne ke liye to ghar chalkar mummy papa se bhi mil lenge. aap dono wahi baithkar ache se baat karna. (Raghu se) Aap ghar chaliye. Jyada door nahi hai mera ghar.

Raghu- Aaj to nahi chal paunga. ABhi mujhe Jaunpur ke liye nikalna hoga. Haan fir kabhi aapke ghar jaroor aaunga.

Manisha- Thik hai. Lekin coffee to pi hi sakte hain. ya uske liye bhi samay nahi hai aapke paas.

Raghu- Jaroor kyon nahi.


Fir tino paas ke hi coffee shop par chale gaye. coffee ka order den eke kuchh der baad hi coffee aa gayi. tino biathkar coffee pine lage. Coffee pine ke baad Manisha ne apna phone nikala aur selfei click karne lagi to Raghu ne apna chehra chippa liya ye dekhkar Manisha ne kaha.

Manisha- Aapko tasvir nikalwana pasand nahi hai kya.

Raghu- Nahi mujhe isme interest nahi hai.

Manisha- Lekin aap didiya ke dost hain to ek tasvir to banti hai na. apna chehra ihar kijiye.

Manisha ki baat sunkar raghu ne apna chehra samne nahi kiya to manisha ne fir usase chehra samne karne ke liye kaha. Jisase raghu ko gussa aa gaya aur wo Manisha se bola.

Raghu- (thoda gusse se) Maine ek bar kah diya na ki mujhe in sab mein interest nahi hai. to fir kyon.


Raghu ki baat sunkar Manisha ko bahut gussa aaya. Sarita ne manisha ko shant rahne ke liye kaha Manisha gusse mein apne man me boli.


Manisha- Pata nahi apne aapko kaha ka raajkumar samajhta hai. Thoda handsom hai to kya huwa main mari thodi ja rahi hoon iske liye. bas ek photo hi to bola tha nikalne ke liye. lekin attitude to aise dikha raha hai jaise main iski photo lene ke liye betab ho gayi hoon. huuuunnnnn.


Coffee khatam ho gayi to Raghu bill pay karne laga to Sarita ne kaha.


Sarita- Aapko bill pay karne ki koi jaroorat nahi hai. aap mere shahar mein aaye hain. to ye meri taraf se aapko treat thi. main bill pay kar rahi hoon.

Raghu- Aap ki baat bhi thik hai. is baar aap kar dijiye bill pay, lekin agli baar hamari bari.


Sarita ne bill paye kar diya aur tino coffee shop se bahar aa gaye. Raghu dono ko bye bolkar chala gaya. Raghu ke jate hi Manisha Sharita par fat padi.


Manisha- Ye kaise kaise dost hain tumhare didiya. tum aise logo ko kaise apna dost bana leti ho. bas ek photo hi to click karne ko bol rahi thi. lekin ghamand to aise dikha raha tha ki jaise kahi ka raja ho.


Manisha ki baato mein gussa saaf jhalak raha tha. Sarita ne manisha ko shant karate huwe kaha.


Sarita- Ye sab chhod. tumhari bhi aadat achi nahi hai. Har samay tujhe selfie lene ki dhun sawar rahti hai. bahut logo ko ye sab pasand nahi hai to use bhi nahi pasand. isme itna naraz hone wali kya baat hai. sabki pasand alag alag hoti hai Manisha.

Waise isme koi shak nahi hai ki tum ek behtareen photographer ho. tum bahut achha photo click karti ho. to ghar chalne se pahle kyon na kuchh photo ham dono apni kheech lein. wo pagal hai jo itne ache photographer ke hatho se photo khichwane ka chance miss kar diya.


SArita ki baat sunkar manisha muskurane lagi aur boli.


Manisha- Mujhe kisi se koi matlab nahi hai didiya. lekin ek baat main pahle ki kahe deti hoon didiya. mana ki tum pulice wali ho, lekin tum is insane se bach kar rahna. mujhe ye aadmi thik nahi lag raha hai.

Sarita- Kya baat hai Manisha. Pulice wali main hoon aur police wali bimari tujhe ho gayi hai. tum shak kar rahi ho uspar.

Manisha- Mujhe shak nahi hai didiya. mujhe yakin hai ki ye sahi aadmi nahi hai, bhala photo khichwane ke liye kaun mana karta hai. use dar hai ki kahi uski photo viral na ho jaye. isliye usne mana kiya hai photo khichene ke liye.

Sarita- Chalo thik hai main bachkar rahungi usase. Ab ghar chale. (apne man me) Tumse usne thodi rudely baat kar li.ya yuun kahe ki tumhari baat nahi mani usne to wo tumhe sahi nahi lag raha hai. lekin mujhse to wo jab bhi bat hui hamesha achhi baat hi karta hai.


Kuchh der baad Sarita aur Manisha ghar aa gayi. dono hath pair hokar presh hokar khatiya par baithi to Raani ji ne juice ka glass Sarita ko thama diya to Sarita ne kaha.


Sarita- Aabhi to aayi hoon. thoda sans to lene do. baad mein pi lungi.

Raani ji- Mujhe pata tumhari aadat. isliye tumhe abhi de rahi hoon. ise khatam karne mein tum 1 ghanta laga dogi.

Sarita- (munh bichkate huwe) Mujhe nahi pasand ye sab mummy.

Raani ji– Ab jyada munh mat bichkao aur chupchap ise khatam karo. Mujhe bhi to dikhao ki tum dono kya kya khareed kar lae ho.


Sarita juice pine lagi to Manisha ne Raani ji ko apne kapde dikhana shuru kar diye.


Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 57


Sarita juice pine lagi to Manisha ne Raani ji ko apne kapde dikhana shuru kar diye. Tabhi Manisha ka phone bajne laga. Manisha ne Sarit se phone uthane ke liye kaha.


Sarita ne dekha ko phone par boss naam dikh raha hai to wo phone lekar thoda side mein chali gayi aur phone utaya. Udhar se Nishchal ne socha ki phone Manisha ne uthaya hai isliye phone uthate hi Nishchal ne bolna shuru kiya.


Nishchal- Aur chhote miya. Kya haal chal hai tumhare. tumne to phone hi nahi kiya do din se to maine socha ki main hi phone kar leta hoon. kya tum naraz ho mujhse jo tumne mujhe phone nahi kiya.


Nishchal itna bolne ke baad thodi der ruka. lekin jab use koi jawab nahi mila to usne fir kaha.


Nishchal- Helloo. Chhote miyaa.

Sarita- Hello.


Nishchal Manisha ke phone par Sarita ki aawaz sunkar hadbada gaha aur hadbaadate huwe bola.


Nishchal- tuu.. tummm
.

Sarita- Haan main. wo Manisha kuchh kaam kar rahi thi to maine phone utha liya.

Nishchal- Achha.


Iske baad dono mein kuchh der khamoshi chhayi rahi. fir nishchal bola.


Nishchal- Ab kaisi tabiyat hai tumhari.

Sarita- AB thik hai.


Uske baad fir se kuchh der khamoshi chha gayi. Nishchal ko samajh mein nahi aa raha tha ki wo kaise baat ko aage badhaye. Tabhi Sarita ne kaha.

Sarita- Koi kaam tha kya manisha se aapko.

Nishchal- Nahi wo maine bas aise hi haal chaal janene ke liye phone kiya tha.

Sarita- Achha.

Nishchal- (himmat jutakar) kab aaogi.

Sarita- (hairani se) Ji.

Nishchal- (hadbada kar) Me…. mera matla…matlab hai. matlab di puchh rahi ti ki tum kab aaogi.

Sarita- Mujhe jab aana hoga to bata dungi.

Nishchal- (thoda gusse se) Jab man kare tab aana mujhe kya.

Sarita- Haan. Mujhe bhi aane ke liye aapki permission nahi chahiye.'

Nischal- Jab tumhe ladna hi hai to baat karne se kya fayda.

Sarita- Shuruaat to aapne hi ki thi.

Nishchal- To tum thik se nahi bata sakti thi ki kab aana hai tumhe.

SArita- To jisne poocha hai main use bata doongi. aap faltu ki jahmat na uthao.

Nishchal- Haan thik hai to ab baat karke mera dimag kharab mat karo tum.

SArita- Jiske paas dimag hi nahi hai uska dimag kaise kharab kar sakti hoon main.


Sarita ki baat sunkar Nishchal ne gusse mein phone kaat diya. aur man me kaha.


Nishchal- (man mein) Har samay bas ladna hi hai is ladki ko. kabhi pyaar se baat kar le to kya chala jayega iska. maine to bas poocha tha ki kab aana hai. bata deti to kya main uska rasta rok leta.

maine bhi faltu mein uspar gussa kar diya. ab to wo mujhse baat bhi nahi karegi. Kya musibat hai. maine khud apne pair par khulhadi maar li. do minute shanti ke sath baat to kar hi sakta tha main.


Udhar phone rakhne ke baad Sarita ne apne man mein kaha.


Sarita- Pata nahi kitni akad hai inme. har samay gussa nak par dhara rahta hai. thodi der shanti se baat kar lete to kya chala jata. har samay toofan mail par sawar rahte hain.


Isi tarah se din bit-te rahe. Sarita ke paas Nishchal ne kai baar phone kiya lekin wo har baar uska phone disconnect kar deti thi. Ab Nishchal ke liye Manisha hi ekmatra sahara thi Sarita ka hal chal jan-neke liye.


Nishchal Manisha ke paas phone karta aur us-se Sarita ki haal khabar mil jati thi. Sarita bhi Savita se baat kar leti thi kabhi kabhi. In dino Raghu ka phone bhi Sarita ke do baar aaya tha. Usne Sarita se bahut prem se baat ki.


Sarita ko bhi uske sath baat karke bahut achha lagta tha. Kuchh din baad Sarita ki chuutti khatam ho gayi ab use jaunpur wapas jana tha. Sarita ne phone karke Savi ko bata diya ki wo kal aane wali hai Jise sunkar Savi bahut khush hui. Sarita ne apna sara saman paik kar liya. uske sath Manisha bhi jaunpur ja rahi thi to manisha ne bhi apna sara saman paik kar liya.


Udhar Nishchal Raat mein jaldi se ghar aaya to Savi ne use bataya ki Sarita kal Manisha ke sath aa rahi hai to Uske chehre par khusi dhud gayi. Wah itne din se pareshan tha. lekin aaj use shukun mil raha tha ki SArita aa rahi hai.


Raghav bhi wahi baithkar khana kha raha tha to Manisha ke Sarita ke sath aane ki khabar sunkar wo bahut khush ho gaya. lekin dono ne apni apni khushi ko bahar nahi aane diya. Jab Nishchal kaha khakar apne kamre mein gaya to pichhe pichhe raghav bhi uske paas aaya. Nishchal ki muskurahat dekhkar RAghav ne kaha.


Raghav- Kya baat hai Bhaai. Jab se di ne bataya ki Sarita ji wapas aa rahi hai tab se tumhari muskurahat jane ka naam hi nahi le rahi hai.


Raghav ki baat sunkar Nishchal andar se to bahut khus huwa lekin anjan bante huwe usne kaha.


Nischal- Main kahan muskura raha hoon.

Raghav- Achha. jakar aaine ke samne khada ho ja aur apna chehra dekh tujhe khud hi samajh mein aa jayega ki main kya kah raha hoon.

Nishchal- Achha. Ab tum jyada gyata mat bano aur jao yahan se. main bahut thak gaya hoon mujhe neend aa rahi hai.

Raghav- (chidhate huwe) Ishq aur Musq kabhi chhupaye nahi chhupte bhai. dekhna Sapne mein bhi na muskurane lagna..


Itna kahkar Raghav Uske kamre se chala gaya. Uske jane ke baad Nishchal apne bister par late gaya aur apne aapse hi badbadane laga.


Nishchal- Kal tum aa rahi ho. to kal se tum meri aankho ke samne hogi. tum nahi janti ki maine tumhe kitna miss kiya. ab tak jo bhi huwa tumhare sath. Bahut ho gaya. ab main tumhe kuchh bhi nahi hone doonga.


Yahi sab sochte huwe wo Gahri neend mein so gaya. Subah Raghav Sarita ko lene Station chala gaya. Thode der baad train aa gayi to Sarita Aur manisha niche utri.


Raghar bahar hi gadi ke paas khada tha. usne jab Manisha ko dekha to wo apni palke jhapkana bhool gaya. Manisha bahut pyaari lag rahi thi. Jab dono gadi ke paas aa gayi to dono se hello karne ke baad Raghav ne kaha.


Raghav- Bahut pyaari lag rahi hain aap.


Raghav ne ye baat Sarita ke samne khade hokar kahi, lekin usne aankho se jo ishara kiya tha wo Manisha ne dekh liya tha. RAghav ne baat to Sarita se kahi thi, lekin usne ishara manisha ko kiya tha. Ye sunkar manisha ke chehre par Muskan aa gayi sath mein thodi sharam bhi aayi. Sarita ne Raghav se kaha.


Sarita- Thanks Raghav ji. Waise Manisha bhi sath mein hai agar aapne uske bare mein kuchh nahi bola to wo naraz ho jayegi.

Raghav- Manisha ji samajh chuki hain ki jo maine kaha.

Sarita- Kya matlab hai aapka.

Raghav- Matlab ye Sarita ji ki maine aap dono ko kaha tha ki aap bahut pyari lag rahi hai.

Manisha- Achha thik hai, Agar aab aapka ho gaya ho to ghar chale.


uske baad tino gadi mein baithkar ghar aa gaye. Ghar pahuchte hi Savi darwaze par khade hokar unka intezar kar rahi thi. Sarita aur Manisha ne jakar Savi ko gale laga liya. Savita ne kaha.


Savi- tum kaisi ho Sarita.

Sarita- Main ab thik hoon. aap kaisi hain.

Savi- Thik hoon ab tum aa gayi ho to aur bhi jyada thik ho jaungi.

Manisha- Didi main bhi yahan par hoon. Koi mujhse bhi pooch le ki main kaisi hoon.


Uski bat sunkar Sarita aur Savita muskurane lage. Fir Savita ne kaha.


Savita- Achha. tum dono kamre mein jao aur fresh hokar aaram kar lo. raat mein baat karti hoon. abhi main thoda bahar ja rahi hoon.

Manisha- Thik hai didi.


Uske baad dono kamre mein chali gayi aur fresh hokar aaram karne lagi. Din bhar aaram karne ke baad Sarita Uthkar bathroom chali gayi aur fresh hokar bahar aayi tabhi nishchal kisi kaam se ghar aa gaya. Nishchal ne Sarita ko dekhkar Usase kaha.


Nishchal- Ohhh hey. Ab kaisi tabiyat hai tumhari.

Sarita- Ab pahle se thik hoon. bas thoda sa dard hai mujhe dawa kha rahi hoon thik ho jayega.

Nishchal- Aane mein koi takleef to nahi hui na tumhe.

Sarita- Manisha sath mein thi to koi takleef nahi hui aane mein.

Nishchal- Thik hai jakar aaram karo. Abhi ek do din PS mat jana.

Sarita- Kyon Na jaun PS. Ab main thik hoon.

Nishchal- Abhi to tumne kaha ki tumhe thoda bahut dard hota hai to tum aaram karo. Jab ekdam thik ho jana tab Join karna PS.

Sarita- Nahi Main kal se hi Join karungi Office.

Nishchal- Tumhe ek baar mein samajh mein nahi aata. Jab main bol raha hoon ki 2-3 din baad join karna to kyon har baat par jid karti rahti ho tum.

Sarita- (gusse se) Sabkuchh aapki marji se nahi hoga. Mujhe kab PS join karna hai aur kab nahi Ye main deciede karungi aap nahi. Main kal PS join karungi matlab karungi. Mujhe koi nahi rok sakta.

Nishchal- Thik hai Jo karna hai wo karo. Bhad mein jao tum aur Tumhara PS.


Itna bolkar Nishchal apne kamre mein chala gaya. Sarita apne man mein bhunbhunate huwe boli.


Sarita- Akadu kahi ka. Har samay apna hukum chalata rahta hai.


Udhar Kamre mein baithi Manisha ne bhi inka jhagda sun liya. Jise sunkar usne apna matha pit liya aur boli.


Manisha- Hey bhagwan Didiya aur Boss pata nahi kab sudhrenge.


Sarita gusse mein apne kamre mein aa gayi to Manisha ne kaha.


Manisha- Kya huwa didiya. Tum jab kamre se bahar gayi thi to gulab ki tarah khili hui thi aur jab wapas aa rahi ho to aag ki tarah jal Rahi ko. Koi baat ho gayi hai kya.

Sarita- Nahi Manisha aisa kuchh nahi hai. Main thik hoon.

Manisha- Kya thikk ho. Mujhe pata hai ki tum is samay Boss se ladkar aa rahi ho. Tumko boss se problem kya hai jo tum hamesha unse ladti rahti ho.

Sarita- Chup kar boss ki chamchii. Us Akadu ki jyada tarafdari mat kiya kar mere samne samjhi.

Manisha- Achha thik hai nahi karti unki tarafdari, lekin ab tum gussa thook do didiya. Tum gusse mein bilkul bhi achhi nahi lagti. Chalo ab muskurao.


Manisha ki baat sunkar Sarita muskurane lagi. Udhar Manisha bathroom jane ke bahane Nishchal se Milne ke liye chali gayi. Darwaze ke paas pahuchkar usne nishchal ka darwaza khatkhataya.


Manisha- Boss main andar aa jaun.

Nishchal- Are chhote miya. Aa jao aa jao.

Manisha- (kamre ke andar aakar) Kya boss aate hi didiya se aapne panga le liya.

Nishchal- Are maine kahan panga liya yaar. Main to bas ye bol raha tha ki abhi tumhare hath mein dikkat hai to kuchh din baad PS Join karna, lekin ye sunte hi tumhari didiya bhadak gayi.

Manisha- (haskar) Didiya aisi hi hai. Agar use kuchh karna hota hai aur koi use rokta hai to aise hi karti hai wo.

Nishchal- Lekin Main uske bhale ke liye hi to bol raha tha. use meri baat man-ni chahiye thi na.

Manisha- Aap boss honge didiya ke. Abhi uske wo nahi bane hain jo aapki har baat mane meri didiya.

Nishchal- Kya chhote miya tum bhi kaisi baate karti ho. Main to bas ase hi usko bol raha tha. tum pata nahi baat ko kaha se kaha le jar ahi ho.

Manisha- Main baat ko kahi nahi le jar ahi hoon Boss. Baat to apni jagah hi hai, lekin aap yaha se waha ja rahe hain.

Nishachal- (muskura kar) Chal bhaag yaha se. Mujhe bahut se kaam hain.

Manisha- Mujhse panga apko bahut mahnga padega boss. Mujhe thodi izzat dekar baat kiya kijiye.

Nishchal- (muskurate hue) Raani Sahiba. ab aap yaha se apni tasreef lekar jaye. Mujhe kuchh kaam hai.


Nishchal ki baat sunkar Manisha hanste huwe kamre se bahar chali gayi. Isi tarah din bit gaya. Sham ko Savi aur Raghav bhi ghar aa gaye. Ghar aane ke baad Savi fresh hokar Sarita ke paas gayi aur boli.


Savi- Kaisa raha tumhara din Sarita.

Sarita- Ekdam boring raha di. Ghar mein baithe baithe uub gayi hoon main.

Savi- Ab isme tumhari hi galti hai. Har samay Jhansi ki rani bani rahti ho. Chalo isi bahane kam se kam tum thoda aaram to kar logi.

Sarita- Haan di. Ab bahut aaram ho gaya. Kal se PS join karna hai mujhe.

Savi- Are abhi kaha. Abhi bhi tumhare hanth mein thodi problems hai to kuchh din aur aaram kar sakti ho tum.

Sarita- nahi di Aaram bahut huwa. Ab mujhe aur aaram nahi hota.

Savi- Thik hai Abhi aaram kar lo. Subah tumhara jo man ho wo karna. Thik hai.


Itna kahkar Savita apne kamre mein chali gayi. Udhar Manisha pani pine kitchen mein gayi. Jab wo pani pi rahi thi to waha par Raghav aa gaya. Usne Manisha ko jab waha par dekha to wo darwaze ke paas khada hokar Manisha ko dekhne laga.


Raghav ke chehre par ek pyari si muskan tairane lagi. Pani pine ke baad Manisha ne jab Raghav ko waha par dekha to Wo waha se jane lagi to Raghav ne kaha.


Raghav- Kya huwa Manisha. Naraz ho mujhse.

Manisha- Main kyon naraz houngi tumse. Tum mera ho hi kaun

Raghav- Sach mein. Tumhe nahi pata ki main tumhara kaun hoon.

Manisha- Mujhe nahi pata aur na hi mujhe iske bare mein jan-na bhi hai.


Itna kahkar Manisha jane lagi. Jaise hi wo Raghav ko cross karke aage badhi to Raghav ne uska hath pakadkar apni taraf kheech liya. Manisha sidhe aakar Raghav ke sine se takra gayi aur girne lagi. to Raghav ne uski kamar mein hath dalkar use tham liya.


Ab setuation ye thi ki Raghav ne ek hanth Manisha ki banh ko pakda tha aur ek hath Manisha ki kamar par tha. Manisha ne girne se bachne ke liye apna ek hanth Raghav ki pith par lapet kar use kaskar pakad liye tha. dono ek doosre ki ankho mein dekh rahe the.


Dono ki dhadkane tibra gati se chalne lagi thi. Manisha is condition mein akar vichlit ho rahi thi. Thodi der aise hi rahne ke baad Manisha kasmasane lagi to Raghav ne use chhod diya. Raghav ke chhodne ke baad Manisha khadi ho gayi to Raghav ne kaha.


Raghav- I am Sorry Manisha. Ye sab achanak ho gaya. Mera aisa koi irada nahi tha.


Manisha ne Raghav ki baat ka koi jawab nahi diya aur waha se nikal kar Sarita ke paas chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Sarita aur Nishchal ke bich me baithi Akku Samne chal rahe presentation ko chhodkar jab Sarita bolti to uski taraf dekhti aur jab Nishchal bolta to uski taraf dekhne lagti. In dono ki tu tu main main se tang aakar Akku ne kaha.
Akku be like
IMG-20220122-182638
Idhar Nishchal ko ye baat achhi nahi lag rahi thi ki Sarita Raghav se baat kar rahi hai.
Sarita be like
images-2022-01-22-T182101-685
:roflol:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 28
Din ba din nischal aur sarita ke bich ladayi jhagda badhti jaa rahi hai, aur iske sath hi badhti jaa rahi hai dono ke bich ek anjaan dooriyaan bhi.....
ab aaj hi ke function mein bina koi tark sangat baat ke jo hua indono ke bich , isse to yahi lage ki shayad inke bich kadwahat kam hone ki jagah aur badhne wali hai.... bas yahi ek aashaa hai ki ye kadwahat aur baat baat pe ho rahi ladayi jagda kahi nafrat mein na badal jaaye ,,, Kahi waqt ke sath saath aisi situation create na ho jaaye ki jiske chalte dono ek duje ko dekhna tak pasand na kare....
Un dono ke bich bina matlab ki ladayi dekh wo chhoti bachhi akku bhi samajh chuki hai wo dono bina koi arth ke, bematalab lade jaa rahe hai.... lekin un dono ko is baat ki ilm nahi..
Waise ek ehsaas anjaane mein nischal ke dil mein jarur jaga hai dhire dhire sarita ke liye..... pyar to nahi par ise ek chahat ka naam de sakte hai..
Khair....
Shaandaar update, shaandaar lekhni shaandaar shabdon ka chayan... aur sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi.....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 

Top