Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Eaten Alive
4,118
4,183
143
हमने पहले भी कहा है और अब भी कह रहे हैं कि निष्चल ने पूरी कहानी में अब तक सरिता को जानबूझकर बाहों में नहीं भरा है।
:akshay:
जब भी अगर ऐसा हुआ है वो या तो अकस्मात घटना थी जिसपर दोनों का कोई जोर नहीं था और या यों सरिता को बचाने के लिए निष्चल ने ऐसा किया।
निष्चल का कोई भी गलत इरादा नहीं था जिसमे और न ही कोई गलत इरादा दिखा।
Is mamle mein nischal be like..hum to bahot sidhe hai ji :akshaysmile2: :hint2:
आप वही बात एक बार कहती हैं और उसी बात से मुकर जाती हैं।
आपने कहा कि जब तक नायिका के दिल मे नायक के लिए लगाव और प्यार वाले जज्बात न रहें। तो राघव और मनीशा के बीच में लगाव है प्यार है तो फिर आप राघव को बार बार दोषी क्यों ठहरा रही हैं।
Deal ke mutabik manisha aur nischal ki prem kahani honi chahiye thi, lekin ye thulla food delivery bhoi raghav ghuse chale aa raha hai... :D
Aur is baat se mujhe aitraaj hai..
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 70


Raghu Sarita ko lekar jane laga tabhi Sarita ke kanon mein ek jani pahchani aawaz sunayi di. jo kisi ne raghu se kahi thi. ye aawaz sunkar Sarita ne ek Rahat bhari sans li.


Sirf madam ko kyon le ja rahe ho. hamko bhi sath mein lekar chalo.


Sarita ne turant palat kar dekha to Jawed sade kapdo mein unke pichhe khada tha.


Aawaz sunkar Raghu ne palatkar Jawed ko dekhte huwe kaha.


Raghu- Tu kaun hai be aur yaha kya kar raha hai. chaal kat le yaha se.

Jawed- Rishte mein to ham tumhare baap lagte hain. lekin tu apne baap ko nahi pahchan raha hai.

Raghu- Kya bakwas kar raha hai tu. kyon bemaut marna chahta hai. Chala ja yaha se.

Jawed- madam ko chhod aur tu mere sath chal. teri achhi khatirdari karunga.

Raghu- Lagta hai mujhe hi teri khatirdari karni padegi. ruk tujhe batata hoon.


Raghu itna kahkar aage badha hi tha ki uske kanon mein ek aur aawaz sunayi padi.


Abe o Raghu. Tera ek baap idhar bhi baitha hai. jara meri bhi khatirdari kar de beta.


Ye aawaz sunkar Sarita ne AAwaz ki taraf dekha to Mohit waha par baitha chaai ki chuskiya le raha tha. Raghu ne jab Mohit ko dekha to wo use turant pahchan gaya aur gusse se bola.


Raghu- Abe tu to police wala hai na.

Mohit- Dekha jawed. main na kahta tha ki ye apne pahle baap ko pahchane ya na pahchane, lekin is baap ko jaroor pahchan lega. To kya bolte ho Raghu beta. Ghar chale.

Raghu- Tune yaha par aakar bahut badi galti kar di hai. tum dono yaha se bachkar nahi ja paoge.

Mohit- Lo kar lo baat. Baap ko dhamki nahi dete beta. uski baat mante hain. chalo ab chupchap apna boriya bister bandho aur chupchap apne ghar chalo.


Mohit ki baat sunkar Raghu gusse se chillate huwe apne aadmiyo se kaha.


Raghu- In dono ko kutte ki maut maro. taki in dono ko afsos ko ki ye dono yaha aaye kyon.


Isase pahle Ki Raghu ke aadmi kuchh harkat kar pate. Pichhe se Raghu ko ek aawaz sunayi padi.


Afsos to tujhe zindagi bhar hoga ki tu Nishchal Singh Rathod ke hatthhe kyon chadha.


Raghu ne jab pichhe palatkar dekha to Nishchal uske samne khada tha aur RAghu ka poora restra Police ne gher liya tha. RAghu ke sabhi Aadmiyon ke pichhe police ka ek aadmi banduk tane khade the. Kisi ke paas hilne dulne ka samay nahi tha.


Raghu ne jab apne aadmiyo aur apne aapko police se ghira huwa paya to wo hakka bakka rah gaya aur apni gun nikal kar paas khadi SArita ki garden par apna hath ghumakar gun uski kanpati par sata di. aur bola.


Raghu- Agar apni chhamiya ki jaan pyari hai to abhi ke abhi apni police ko lekar yaha se rafuchakkar ho jao. agar 2 minute mein tum log yaha se nahi gaye to ham ye poori ki poori gun iske bheje mein khali kar denge. uske baad tum chahe mujhe maar hi dena.

ham bas ek hi baar bolte hain ki tum sab jaldi se ye jagah khali karke jao yaha se. nahi to yaha jo kuchh bhi hoga uske jimmedar tum hoge. ise kori dhamki mat samajhna. RAghu apni jaan bachane ke liye kuchh bhi kar sakta hai.


Nishchal ne jab ye dekha ki Raghu ne Sarita ke upar gun tan di hai to ek pal ke liye to uski jaan uske halak mein atak gayi. Heera ne use bataya tha ki Raghu Sarita se kis had tak pyaar karta hai. wo Sarita par goli nahi chalayega.


wo Sarita ko nuksan pahuchane ke bare mein soch hi nahi sakta, Lekin Nishchal koi khatra mol nahi lena chahta tha. Kyonki Paristhithi aisi ban chuki thi ki Raghu Sarita ko goli bhi maar sakta tha, Fir bhi Nishchal ne Raghu se kaha.


Nishchal- Tu mujhe dhamki deta hai. Tu ise goli kya bam se bhi uda de. mujhe koi fark nahi padta. lekin tum bhi yaha se bachkar nahi jaoge.

Sarita- (hairani se) Ya aap kya kah rahe hain Sir. Mujhe bachane ke bajay mujhe udhane ke liye bol rahe hain.

Nishchal- Tum chup karo. Main tumko Kyon bachaaun. Jab tum mujhe kuchh bhi batana jaroori nahi samajhti to. Ab bhugto. Tum maro chahe jiyo. mujhe to bas Is Raghu se matlab hai.

Sarita- Ye kaisi baat kar rahe hain aap Sir. Main aapke under kaam karti hoon to mujhe bachana aapka farz hai.

Nishchal- Achha. Tumhe bachana mera Farz hai lekin tumhara koi farz nahi hai ki yaha aane se pahle tum mujhe batakar aati.

Sarita- Main kyon batau aapko. Mujhe isko pakadna tha. isliye main yaha aa gayi ise pakadne. mujhe jaroori nahi laga ki main aapko kuchh bataun.

Nishchal- Tumhe mujhe batana jaroori nahi laga to tumhe bachana bhi mujhe jaroori nahi lag raha hai.


Nishchal ye sab janboojhkar kar raha tha, taki use kuchh samay mil jaye Raghu se Sarita ko chhudane ka. Usne Jawed ko kuchh ishara pahle ki kar diya tha is bare mein. Nishchal aur Sarita ki tu-tu, main-main sunkar Raghu pak gaya, isliye wo Chheekhte huwe bola.


Raghu- oo laila majnu. Tum dono apni bak bak band karo aur sun DSP main tin tak ginunga. agar mere tin bolne se pahle tu apne pantaro ke sath yaha se nahi gaya to main iska bheja khol dunga.


Raghu ke aisa bolne par Nishchal palat gaya. Ye dekhkar Sarita ne Jawed ki taraf dekha. Jawed ne Sarita ko kuchh ishara kiya. Jo Sarita ko samajh mein aa gaya. to Sarita ne apni palke jhapkakar Jawed ka ishara samajhne ka sanket diya.


Raghu ne 1 bol diya tha. jab wo 2 bolne ka huwa tabhi Sarita ne apni poori takat jama karke apni kohni ka jordar waar Raghu ke pet par kiya. SArita ka waar itna jordar tha ki RAghu disbalance ho gaya. Uska hath SArita ki garden se nikal gaya jiske karan Sarita jameen par gir padi.


Achanak huwe is hamle se RAghu sambhal nahi paya aur wo ladkhada kar jameen par gir pada. girte samay Uski gun uske hath se chhoot gayi aur hawa mein uchhal gayi. Jise badi furti se Mohit ne catch kar liya.


Idhar SArita ne jaise hi Raghu ke pet par kohni se waar kiya. thik waise hi Nishchal palat gaya aur daudkar Sarita ka hanth pakadkar kheech liya. Sarita Uthkar Nishchal ke sine se ja lagi. Nishchal ki dhadkan is samay bahut joro se chal gahi thi, jise Sarita ne bhi mahsoos kiya.


NIshchal ne Sarita ki baanh pakadkar use apne pichhe khada kar diya. Idhar Mohit hawa mein lahrati hui gun ko catch karke aage badhkar us gun ko Raghu ki kanpati par taan di. Ye dekhkar Raghu bas khisiyakar rah gaya.


RAghu ka sara danv ulta pad chukka tha. Ab uske paas nikalne ka koi rashta nahi bacha tha. Uske sare aadmiyon ko pahle se hi police ne apne gun point par le rakha tha.


Jis tarah kuchh der pahle SArita apne aapko asahay mahsoos kar rahi thi thik waise hi is samay Raghu apne aapko kar raha tha. Jawed chalta huwa Raghu ke paas pahucha aur ek karara jhapad Raghu ko rasid kar diya aur bola.


Jawed- Sale tujhe kab se bol rahe the ki ghar chal ghar chal. lekin tu nautanki kar raha tha. hame pareshan kar raha tha. Ghar chal tu. tujhe ache se batata hoon ki baap ko pareshan karne ka kya parinam hota hai.


ye sunkar RAghu gusse se chillakar bola.


Raghu- Tum log kya samajhte ho ki tum mujhe jyada der tak lockup mein rakh paogi to ye tumhari sabse badi bhool hai. tum nahi jante ki main kaun hoon. bachha singh ka bhaai RAghuu hoon main. ye naam yaad rakhna tum log.


BAchha singh ka naam sukar Sarita chauk gayi aur Raghu ki taraf dekhne lagi. Sarita apne man mein boli.


Sarita- He bhagvan ye bachha singh ka bhaai hai, par uska to koi bhaai tha hi nahi. kahi ye bachne ke liye to ye sab nahi bol raha hai. ho sakta hai ye sach bol raha ho. Ab samajh mein aaya ki ye itna befikar hokar kyon rahta hai.

har baar number badal badal kar phone karna, use koi dar nahi tha, na hi police ka aur na hi prashashan ka. main bhi kitni bevkoof hoon jo iski asaliyat na pahchan payi ki ye bachha singh ka bhaai hai.


Nischal ne jawed ko ishara kiya Raghu ko le jane ka. Jawed Raghu aur uske sathiyo ko lekar chala gaya to Mohti ne Sarita se poochha.


Mohit- Madam aap thik to hain na. aapko chot to nahi lagi na. aapko kuchh kiya to nahi usne.

Sarita- Nahi main bilkul thik hoon.


Sarita Nishchal se kuchh bolna chahti thi, lekin Nishchal ne use bolne ka koi mauka nahi diya aur Mohit se kaha.


Nishchal- Mohit. Inhe ghar chhod do.


Itna bolkar Nishchal bina Sarita ki taraf dekha waha se chala gaya. Sarita bas Nishchal ko jata huwa dekhti rahi. Sarita ne apne man mein kaha.


Sarita- Lagta hai fir gussa ho gaye. ho bhi kyon na. maine kaam hi aissa kiya hai. Ab Jb ghar aayenge to sorry bol doongi. Lekin kaise bol rahe the ki goli se nahi bam se uda do mujhe koi fark nahi padta. Agar mujhe wo sach mein uda deta to. Insaniyat naam ki koi chheez hi nahi hai.


mohit ki aawaz sunkar uska dhyan toota. mohit Sarita se ghar chalne ke liye kah raha tha.


Mohit- madam Ghar chale.

Sarita- Nahi Mohit ji. aap pareshan mat hoiye main chali jaungi.

Mohit- Nahi madam main aapko chhodkar nahi jaunga. apko mere sath chalna hoga, Kyonki Sir vaise bhi itne gusse mein hain. agar unko ye pata chalega ki aap ghar akeli gayi hain to meri shamat aa jayegi.


Sarita ko bhi Mohit ki baat sahi lagi. Sarita ne jyada kuchh bolne munasib nahi samjha aur mohit ke sath ghar wapas aa gayi. Mohit use gate par chhodkar chala gaya. jab Sarita ghar ke andar aayi to Savita ne uske upar sawalo ki jhadi laga di.


Savi- Kaha thi tum. maine tumhe kitna phone kiya , tumhara phone kyon band tha. Ye koi time hai aane ka. kuchh der ke liye bolkar gayi thi 2 ghante se jyada ho gaye hain. Kya kar rahi thi itni der.

Sarita- Di wo main baad mein bata dungi. abhi mein bahut thak gayi hoon. mujhe aaram karna hai.

Savi- Thik hai jao. lekin jab sokar uthogi to mujhe batana padega.

Sarita-Thik hai di.


Itna kahkar Sarita apne kamre mein chali gayi. Manisha bhi pichhe pichhe uske kamre mein aa gayi. use dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Tum mere pichhe pichhe kyon ayi ho. agar kuchh poochhna ho to abhi kamre se bahar jao. mujhe sona hai.

Manisha- Nahi mujhe kuchh nahi poochna. aap soiye main yaha chupchap baithungi.


Sarita bister par aaram karne ke liye late gayi. Manisha Sarita ke paas bister par baith gayi tabhi uske phone par raghav ka massage aaya.


Raghav- Jaldi se nichhe aao. ek news dikhani hai.


Massage padhkar Manisha ne use ignore kar diya. use laga ki raghav use bahane se apne paas bula raha hai.


News Channelo par Raghu ke pakade jane ki khabar joro shoro se dikhayi ja rahi thi. Sarita aur Nishchal ki team ko Raghu ko pakadne ka poora shreya diya ja raha tha. Savita aur Raghav dono t.v. screen par najar gadaye huwe the. Ye khabar dekhakar Savita ne kaha.


Savi- Ab samajh mein aaya ki madam kis jaroori kaam se bahar gayi thi.

Raghav- Kuchh bhi kaho di. Sarita ji bahadur to bahut hain.

Savita- Haan ye baat sahi kahi tumne.


Isi tarah poora din bit gaya. Savita ne news par sab dekh liya tha isliye usne Sarita se iske bare mein baat nahi ki. Raat ko khana khane sab sath mein baithe hue the.


Nishchal aur Sarita Ek doosre ke samne baithe huwe the, Nishchal apna sir niche kiye huwe chupchap baitha huwa tha. Sarita ke bagal Manisha biathi hui thi, Raghav jhat se aakar Manisha ke bagal mein baith gaya. Savita ne Chupchap baithe Nishchal ko dekh kar kaha.


Savi- Kya baat hai Nishu. tu kuchh pareshan lag raha hai. Ab to tumhare dange wale case ka apradhi bhi pakda gaya hai. jiske liye tumne din raat ek Rakha tha, Ab wo case bhi to solve ho gaya hai to fir tum kisliye pareshan ho. Sarita ne bhi bahut bahaduri dikhayi aur tumhari madad ki is case ko solve karne min. I am proud both of you.

Nishchal- (man mein) haan kitni bahaduri dikhayi aur kitni meri madad ki ye to mujhe pata chal hi gaya hai. bahaduri ka to pata nahi lekin apni manmani bahut karti hai ye ladki.

aap logo ko nahi pata jab Raghu ne iske upar gun tani thi to meri kya halat ho gayi thi. Kitni mushkil se maine khud ko sambhala tha us samay. Agar ise kuchh ho jata to main jeete ji mar jata Nahi ji sakta main iske bina. Ab to meri jaan ban gayi hain ye.


Nishchal ko kuchh na bolte soch mein dooba dekha Savita ne uske kandhe par hath rakhkar jhakjhorte huwe kaha.


Savi- Kya huwa nishu. kis soch mein doobe huwe ho.

Nishchal- (hadbadate hwue) Kkk… kuchch. bhi to nahihii. kuchh nahi wo main thoda thak gaya tha. main ye soch raha tha ki kal main Anant se mil leta hoon. aap unko phone karke bata dijiyega kal ke liye aur mujhe unke ghar ke address bhi de dijiyega. main kal hi chala jata hoon lucknow.


Nishchal ki baat sunkar Sarita man hi man boli.


Sarita- Kal sir Anant ji se milne ja rahe hain, lekin inka mood thik nahi hai. kahi aisa na ho baat ban-ne ke bajay aur bhi bigad jaye. mujhe Sir ke jane se pahle ek baar unse baat karni padegi aur jo kuchh bhi aaj huwa uske liye maffi mangni chahiye.


Nishchal ke kal Anant se milne ki baat sunkar Savita bahut khush hui. Jo uske chahre se jhalak rahi thi. Sabhi baithkar khana kha rahe the. Raghav ne apna pair Manisha ke pair ke upar rakh diya khana khate huwe aur sahlane laga.


Uski is harkar se Manisha ko thaska lag gaya aur use khansi aa gayi to Manisha ne apne doosre pair se Raghav ke pair par jor se maara to raghav ne turant apna pair hata liya. Sarita ne turant pani ka gilas aage badhate huwe kaha.


Sarita- Lo pani pi lo.

Manisha- Nahi didiya. ab thik hai.


Itna kahkar Manisha Raghav ko ghoorkar dekhne lagi. Raghav khana khate huwe muskura raha tha. Nishchal ka khana khatam ho gaya tha to wo uthkar sidhe apne kamre mein chala gaya. usko jate dekh Sarita ne man mein kaha.


Sarita- Lag raha hai ki kuchh jyada hi naraz hain is baar. Ek bar Jakar sorry bol doon kya. lekin ek sorry mein kuchh thodi ho payega. jana to padega unke paas. khana khakar jati hoon.


sabhi ne apna apna khana finish kiya aur apne apne kamre mein chale gaye. Sarita aur manisha bhi apne kamre mein aa gayi. Kuchh der baithne ke baad Sarita ne manisha se kaha.


Sarita- Manisha, tum yahi par raho main sir se ek case ke bare mein discuss karne ja rahi hoon. jaldi hi aati hoon.


Itna kahkar Sarita apne kamre se nikli aur Nishchal ke kamre ki taraf chal padi.



Iske Aage ki Kahani Agle Bhag mein..
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
Lagta hai mahi ji naraz ho gayil hai :D

Btw ...I blame raghav :D
कभी कभी लगता है कि नाराज़ हो जाएं। फिर सोचते हैं कि नाराज़ होकर भी क्या उखाड़ लेंगे।😃😄😂🤣
इसलिए ये विचार त्याग देते हैं।
राघव बहुत ही मासूम बच्चा है उसके ऊपर इल्ज़ाम मत लगाइए 😋
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
कभी कभी लगता है कि नाराज़ हो जाएं। फिर सोचते हैं कि नाराज़ होकर भी क्या उखाड़ लेंगे।😃😄😂🤣
इसलिए ये विचार त्याग देते हैं।
राघव बहुत ही मासूम बच्चा है उसके ऊपर इल्ज़ाम मत लगाइए 😋
Koun...wo food delivery bhoi kya :roflol: jiski harakatein definitely prem chopra ki tarah hai... :akshay:
 
Eaten Alive
4,118
4,183
143
Update 70

Ek baat to tay hai ki Amit dhokha de raha hai..
Ab Amit ne dhokha kyun diya, is mamle mein baaki ki wajah ek taraf , kyun ki abhi ke liye ye ek wajah hi kaafi hai jisse pata chal jaaye ....ki Amit ne waqt pe naa aake ye baat proved kar di ki wo gaddari kar raha tha..

Yahan mamla nischal , jawed aur mohit & team ne sambhal liya.... lekin by chance agar ye log nahi aate to aaj sarita bahot musibat mein fansh jaati.... ek tarah se gaur ki jaaye to iska jimmewar Amit hi hai ..

So nischal & party ne raghu pe pehle se hi nazar rakh raha tha....
Khair to sham daam dand bhed lagake sarita ko bacha hi liya, aur raghu bhi inlogo ke giraft mein aa gaya..
Btw nischal ho ya sarita ya phir mohit aur javed... sabhi ke liye ye bahot badi baat hai finally raghu pakda gaya,
Ek aisa chalak aur ghag mujrim jiski photo tak record mein na thi aur na hi koi khas details... ye sach me bahot badi kamyaabi hai un logo ke liye....
sarita ki karvaahi ko dekhe to is baar bhi usne jaldbaazi ki.... actually uski sabse badi weak point bhi yahi hai..aksar jaldbaaji mein liye gaye faisle aur jaldbaaji mein uthaye gaye koi kadam khud ke liye hi musibaton ko nyota dene jaisa hai...
usne is baar bhi bina koi proper planning ke hi raghu ko pakadne chali gayi.... haan musibat mein fansne mein Amit ke dhokhadaari bhi ek wajah hai, lekin sabse bada kaaran sarita dwara jaldbaaji mein li gayi decision hi hai.....

To aakhirkaar Mahi Maurya ji ki wish puri huyi nischal ne sarita ko bacha liya, par sarita dwara uthaye gaye kadam ke chalte gussa bhi hai..
Aur shayad sarita nischal ko manaane ya maafi maangne ki koshish kare.....
Well let's see what happens next..
Brilliant update with awesome writing skills .... :clapping: :clapclap:
 
Member
324
1,026
93
Samay rehte jaweed mohit and nischal pori team ke sath waha pahunch gaye jiske chalte sarita ki zindagi bach gayi
Pehle to laga tha sirf jaweed aur mohit hi aye hai pori team ko lekar but nischal bhi nikal aya
Raghu ne game badiya khela tha sarita ke Uppar gun tankar but usey kya pata tha ke tom jerry kahi hui shuru hojate hai chahe situation kaisi bhi ho
But ye Tom Jerry wali ladai inke kaam bhi bohut ati hai jisse agey wale ka pora focus hi out ho jata hai
Raghu ko pakad to liya but usey kitne samay tak andar rakh pate hai ye challenging hoga nischal and sarita ke liye kyunki bacha Singh ya Phir to kahe boss aur sarkar aise hi to nahi baithenge wo kuch na kuch karke raghu ko bahar Lane ki pori koshish karenge
Nischal ne finally samay nikal liya hai anant ji se milne ka ab ye mulakat bhi sahi se hogi ya nahi
Sarita nikal to gayi nischal se sorry Kehne aur Baat karne ke liye but mujhe lagta hai humesha ki tarah is baar bhi sab galti nischal ki bata kar usey hi suna kar aayegi 😅
Ye raghav wale mamle mai ab mai kuch na kehta Mahi Maurya ji 😅
But Chote miyan meri favourite hai 😅
Overall Awesome Update
BRAVO 🙌
 
Will Change With Time
Moderator
9,387
17,218
143
:clapclap:
UPDATE- 68


Agli subah Sarita ki aankh subah ke lagbhag 8 baje khuli. Usne apne bagal mein dekha to Manisha bhi uske paas so rahi thi. Jagne ke baad use Raat ki baatein yaad aa rahi thi ki kaise wo Nishchal ko sab bata rahi thi aur batate batate use neend aa gayi thi. Ab wo ye soch rahi thi ki agar wo wahi so gayi thi to use kamre mein kaun lekar aaya tha. Manisha uthe to isi se pooch lungi.


Sarita ne socha ki pahle Sir ka to pata kar loon ki wo kaha hain is samay. Isliye Sarita ne apna mobile uthaya aur Nishchal ko phone kar diya.


Phone bajane ke karan Nishchal ki Aankh khuli to usne eka ankh kholkar dekha to Sarita ka number dekhkar uski dono aankh khul gayi. usne phone pick kiya aur kaha.


Nishchal- Hello,

Sarita- Kaha hain aap. Kuchh khaya piya ya aise hi hain aap.

Nishchal- Main to ghar par hoon aur so raha tha. Chhote miye ne bahut achhi khatirdari ki. Khana khilakar hi mujhe aane diya.

Sarita- Kya jaroorat thi itni raat mein hi jane ki. Agar yahi ruk jate to kya ho jata.


Sarita ne ye baat ek hak se kahi thi jo Nishchal ko kahi na kahi bahut achhi lagi thi. Nishchal ne muskurate huwe kaha.


Nishchal- Ruk to jata lekin di ko maine kuchh bataya nahi tha.. Isliye raat ko hi chala aaya.

Sarita- Di ko kyon bata kar nahi aaye aap. Itne bade ho gaye hain lekin sence naam ki koi cheez hi nahi hai. Itni door aaye the aap aur unhe bataya bhi nahi. Di kitni pareshan ho gayi hongi aapko pata hai. main unhe bata doongi.

Nishchal- Are rahne do na. Baat to khatam ho gayi hai. to di ko batane ki kya jaroorat hai.

Sarita- Are aise kaise khatam ho gayi. aur jaroorat kyon nahi hai batane ki. Main to bataungi. Aap apne aapko kahi ka turram khan samajhte hain kya ki jaisa aap chaho waisa hi hoga.

Nishchal- Main jaisa chahta hoon. Waisa hota kaha hain.

Sarita- Kya chahte hain aap.

Nishchal- Tumhein.

Sarita- (hadbada kar) Kya.. Kyaa kaha aapne Sir.

Nishchal- Are main to kah raha tha ki tumhe subah subah aur koi kam nahi hai kya jo mera dimag kha rahi ho. pahle poori baat sun liya karo. Bina poori baat sune tipical ladkiyon ki tarah react mat kiya karo.

Sarita- (tunakkar) Maine to bas aapka hall chal poochne ke liye phone kiya tha. Bye.


Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. Udhar Nishchal ki jaan mein jaan aayi. Wo man hi man badabadate huwe bola.


Nishchal- Ohhhh bhagwan. Aaj to bacha liya jo sahi samay par maine baat sambhal li. Par samajh nahi aata ki ye itni gussail kyon hain. Dekho ab fir se gussa hokar phone kaat diya. fir se chala jaun kya Allahabad. Nahi nahi agar is baar main uske samne bhi gaya to aankho se hi mera katal kar dalegi.


Nishchal Sarita ke chehre ke bhavo ko yaad karke muskurane laga aur phir se so gaya. Udhar Manisha bhi ab tak uth chuki thi. Manisha ke uthne ke baad Sarita ne usase poocha.


Sarita- Manisha. Main kal raat apne kamre tak kaise pahuchi. Main to baramde mein hi so gayi thi na.

Manisha- God mein uthakar laye the aapke Sir Aapko.


Sarita ne aankhe faadkar Manisha ko dekha to Manisha ne kaha.


Manisha- Are didiya main to Mazak kar rahi thi. main lekar aayi thi aapko sahara dekar.

Sarita- (gusse se) Dobara se aisa ghatiya Mazak bilkul bhi mat karna mere sath.


Itna kahkar wo apne kamre mein chali gayi. Sarita ke pichhe pichhe Manisha ne use aawaz bhi di.


Manisha- Are Didiya sorry na main to Mazak kr rahi thi. Naraz kyo ho gayi. Kya yaar yahi sab tumhara mujhe bilkul bhi accha nahi lagta.


Manisha ki baat Sarita ne suni hi nahi aur apne kamre mein jakar darwaza band kar liya. Manisha ne bhi Sarita ko pareshan na karte huwe man hi man socha.


MANISHA- Are yaar boss ko phone karke bata deti hoon ki agar didiya unse pooche ki unhe wo raat mein apne kamre mein kaise pahuchi to ye na bol dein ki unhone didiya ko apni god mein uthakar kamre tak pahuchaya tha. Agar aisa huwa to mere sath sath unki bhi class laga dengi didiya.


Yahi sab sochkar Manisha ne Nishchal ko phone kar diya. lekin usase ek galti ho gayi ki dial number mein Savita aur Nishchal ka number upar niche hi tha. To call galti se Nishchal ko lagne ke bajay Savita ko lag gayi. Ab apni Manisha thahri bullet train to phone pickup hone ke baad bina doosri taraf se aawaz sune hi bolna shuru kar diya.


Manisha- Boss. Ek Baat ka dhyan rakhna ki didiya ke poochne par bhi unhe ye mat batana ki aap unhe apni god mein uthakar room mein lekar gaye the. Nahi to aap to fansoge hi sath mein mujhe bhi fansa doge. Dhyan rakhna is baat ka boss.


Savita ko is ke baare mein kuchh pata hi nahi tha. Savita soch rahi thi ki Manisha kya baat kar rahi hai. Nishu ne kab aisa kiya. Nishchal raat mein 3 baje ke kareeb ghar aaya tha to Savita ko pata nahi tha ki Nishchal ghar aa gaya hai. Manisha ki baat sunkar Savita ne kaha.


Savi- Nishu tumhare ghar gaya hai. Sarita thik to hai na.


Savita ki aawaz sunkar Manisha ne jhat se phone ki screen par dekha to Savita ke no. par call show kar raha tha. Ye dekhkar Manisha ne apne sir par thapki maar kar man hi man kaha.


Manisha- Lo ji Teri jaldbazi ke chakkar mein ho gaya tumhara aur Boss ka bantadhar. Ab Kya karu main.


Manisha ki aawaz na sunkar Savita ne dobara poocha.


Savi- Manisha. Tum bol kyon nahi rahi ho. kya huwa hai. batao bahut ghabrahat ho rahi hain mujhe.

Manisha- Relax didi. Aisa kuchh bhi nahi huwa hai jaisa aap soch rahi hain. Didiya bilkul thik hai. Boss ek case ke silsile mein didiya se baat karne aaye the.

Savi- Aise kaun sa case tha jiske karan Nishu ko itni door jana pada. Wo to phone par bhi kar sakta tha baat Sarita se.

Manisha- Iske bare mein mujhe kuchh nahi pata didi.

Savi- achha Tum kya bol rahi thi ki Sarita ko room mein uthakar le gaya tha.

Manisha- Nahi di aisa kuchh nahi hai. maine kab aisa kaha.

Savi- Dekho Manisha. Ab tum bhi mujhse baate chhupaogi. Poori baat batao ki ye chal kya raha hai.


Manisha ne bhi samajh liya ki ab Savita se chhupana bahut mushkil hai to usne Nishchal aur Sarita ka sara kachcha chiththa kholkar Savita ke samne rakh diya. poori baat sun-ne ke baad Savita ne kaha.


Savi- Ohhhh to ye baat hai. tabhi to main sochhu ki sahabjade aajkal kiske khayalo mein gum rahte hain. Uska man kyon nahi lagta ghar mein aur late ghar kyon aata hai.

Manisha- To kya didi aapko bhi wahi lagta hai jo mujhe lagta hai.

Savi- Haan bilkul. Pyaar ho gaya hai mere bhaai ko.

Manisha- Lekin jab maine boss se iske bare mein poochha tha to unhone saf mana kar diya tha.

Savi- Are yaar. Tumhe kya lagta hai ki wo tumhare poochhne par tumhe bataega ki wo Sarita se pyaar karta hai.

Manisha- Haan aapki baat bhi sahi hai. Par didiya ki taraf se mujhe aisa kuchh bhi najar nahi aata ki unke man mein boss ke liye koi feeling ho. Wo to boss ka naam sunte hi chiddh jati hain. Abhi bhi mujhse isi baat par gussa hain aur naraz hokar chali gayi.

Savi- Ho sakta hai ki abhi Sarita ke man mein kuchh na ho Nishu ke liye, Lekin aksar aisa hota hai ki pyaar ki shuruaat nafrat aur jhagde se hi hoti hai.


Savita ki baat sunkar Manisha ko turant Raghav ki yaad aa gayi. Manisha ne Savita se baat karne ke baad phone rakh diya aur kaha.


Manisha- Chalo didi ko to pata chal gaya ab. Ab chalkar apni didiya ko mana loon. Pata nahi ye har baat ko itni seriously le leti hain.


Yahi sab sochkar Sarita ke paas use manane chali gayi. udhar Sarita ka phone aane ke baad Nishchal ne sone ki koshish ki lekin use neend nahi aayi. To wo apne kamre se bahar nikla to bahar use Savita khadi mili Nishchal ko dekhte huwe Savita ne poochha.


Savi- Tum kab aaye.

Nishchal- main to raat mein hi aa gaya tha.

Savi- Kaha gaye the raat mein tum.

Nishchal- Wo ek case ke silsile mein bahar gaya tha.

Savi- Wahi to pooch rahi hoon ki kaha gaya tha.

Nishchal- (Man mein) Is lady don ke pet mein koi baat pachti hi nahi hai. maine mana kiya tha ki di ko kuchh mat batana, lekin meri baat to na man-ne ki usne kasam kha rakhi hai.

Savi- kahan kho gaye Nishu.

Nishchal- Di wo mujhe neend aa gahi hai. mujhe sona hai.

Savi- Haan to jao na. main kab mana kar rahi hoon tumhe.


Nishchal apne kamre mein chala jata hai aur bister par letkar sone ki koshish karne lagta hai. kuchh der baad use neend aa jati hai. Nishchal jab so kar utha aur apne kamre se bahar aaya to Usne dekha ki Savita kitchen mein kuchh bana rahi hai. Nishchal kitchen mein chala gaya aur bola.


Nishchal- Kya kar rahi ho di. Kaka nahi aaye hain kya aaj.

Savi- Maine unhe chhutti de di hai aaj. Aaj ham dono milkar special khana banayenge.

Nishchal- Wo kisi Khushi mein di. aaj na aapka janamdin hai aur na hi mera janamdin aur na hi koi tyauhaar hi hai.

Savi- Jaroori thodi hi hai ki jab kuchh special ho tabhi hame special khana banana chahiye. Balki har din ko hame special banana chahiye.


Savita ki baat sunkar nishchal muskurane laga aur wahi slab par baith gaya to Savita ne kaha.


Savi- Sarita thik to hai na.

Nishchal- (hadbada kar) Muu… mujhee kya pa… pataa dii

Savi- tum gaye the shayad kahi case ke silsile mein isliye poochha.


Savi ki baat sunkar Nishchal ko bhi pata chal gaya tha ki Sarita ne use sabkuchh bata hi diya hai to ab chhupane se koi fayda nahi hai to nishchal bola.


Nishchal- thik hai wo di.

Savi- Sarita bahut pyaari hai na.

Nishchal- Haan di.

Savi- Bahut samajhdar bhi hai Sarita.

Nishchal- Haan di.

Savi- Sanskari bhi bahut hai.

Nishchal- Haa di.

Nishchal- Tumko bahut achhi bhi lagti hai.

Nishchal- Haan di.


Sarita ke bare mein Nishchal baat karte huwe khone laga tha, isliye use pata hi nahi chal raha tha ki wo kya bole ja raha hai. Savita ne aage poocha.


Savi- Usko dekhkar tumhare dil ki dhadkan tez ho jati hain.

Nishchal- Haan di.

Savi- Tum Sarita se pyaar bhi karte ho.

Nishchal- Haan di.


Nishchal ne ye bol to diya. lekin jaise hi usko dhyan aaya ki usne hosh khote huwe kya bola hai usne turant Savita ki taraf dekha to Savita use hi dekh rahi thi. Nishchal ne ye dekhkar apni gardan niche jhuka li aur dhire se kaha.


Nishchal- Nahii di. aisa kuchh bhi nahi hai. aap galat samajh rahi hain. Aapki dimag bhi chhote miya ki tarah hi kharab ho gaya hai.

Savi- Ab ye chhote miya kaun hain.

Nishchal- Manisha

Savi- huuunnnn. To tum kah rahe ho ki ham dono ka dimag kharab ho gaya hai. dimag ham dono ka nahi tumhara kharab ho gaya hai nishu. Tum ye baat accept hi nahi kar pa rahe ho ki tum Sarita se pyaar karte ho.

Nishchal- Aisa kuchh nahi hai di. aap galat samajh rahi hain.

Savi- Achha. Aisa kuchh nahi hai. main galat samajh rahi hoon. To ek baat batao mujhe. Tumhare phone par uske naam ka password kyon hai. tumhare phone ke wallpaper par uski photo kyon hai. Uska us din wala Article jo news papar mein nikla tha tumne kyon sambhal kar rakha huwa hai. apne phone par uska number Meri Jaan naam se save kyon kiya hai. bolo koi jawab hai iska tumhare pass.

Nishchal- (Aashcharya se) Di aapne mera phone check kiya.

Savi- Sorry par karna pada mujhe. Mujhe ye dekhna tha ki Manisha ne jo kuchh bhi mujhe bataya hai wo sahi hai ya galat.

Nishchal- Chhote miya ne aapko ye sab bataya.

Savi- Haan. Wo tumhe phone kar rahi thi, lekin galti se mujhe phone lag gaya, tum to jante ho use, bina samne wale ka sune hi bolna shuru kar deti hai. to aaj bhi wo bina sune hi bol gayi ki tum waha par gaye the. Jab maine usase poocha to usne sari baat bata di.


Ab Nishchal ke paas apni safai mein kuchh kahne ko bacha nahi tha isliye wo slab se utar gaya aur apna sir jhukakar khada raha. Sarita ne jab use dekha to usne kaha.


Sarita- Nishu. Isme aisi koyi baat nahi hai ki tumhe mujhse sharminda hona pade. Tum mere samne is tarah kyon khade ho. pyaar kahi bhi. Kabhi bhi. Kisi se bhi ho jata hai. isme kisi ka bhi bas nahi chalta. Na tumhara aur na hi mera.

Yah to ek bahut hi khoobsurat ehsas hai bhaai. Ham jisase pyaar karte hain uske aas paas rahne ka dil karta hai, jab aakhe band karo to usi ka chehra najro ke samne dikhta hai. sote jagte bas usi ka khyal dil mein rahta hai. Aur agar wo paas mein nahi rahta to jindagi veeran si ho jati hai. Pyaar ho jane par dimag ko pyaar ke alava aur kuchh sujhta hi nahi hai.


Savita ki baat sunkar Nishchal ko thodi himmat mili. Usne apni najar uthakar Sarita ko dekha aur himmat jutate huwe bola.


Nishchal- Di. Mujhe nahi pata ki ye sab kya hai par ye sach hai ki jab use nahi dekhta hoon to main bechain sa ho jata hoon. Har wakt wo mere khwabo khayalo mein rahti hai. main use har wakt mahsoos karta hoon. Usne mere dil aur dimag dono par apna kabja jama liya hai.

main uske alava aur kuchh soch hi nahi pa raha hoon di. agar isi ko pyaar kahte hain to haan di. mujhe Sarita se pyaar ho gaya hai. mujhe pyaar ho gaya hai usase.


Nishchal ki baat sunkar Savita bahut khush hui aur usne Nishchal ko gale lag aliya. Nishchal ne Kuchh soch kar Savita se kaha.


Nishchal- Di plz. Aap is bare mein Sarita se kuchh mat kahiyega. Ek to wo waise hi kitna gussa karti hai, lekin ye Rahat to hai ki isi bahane wo mujhse baat to karti hai, agar use yah pata chal gaya to wo shayad mujhse baat karna hi chhod de. Jo main bardast nahi kar paunga di.

Savi- Thik hai Nishu. Main is baare mein koi bhi baat sarita se nahi karungi aur Manisha ko bhi bol dungi ki wo bhi is bare mein Sarita se koi baat na kar. Main bahut khush hoon nishu tumahare liye. Sarita sach mein bahut achhi ladki hai. Jab main usase pahli baar mili thi tabhi wo mujhe pasand aa gai thi.


Savita ki baat sunkar uska pyaar dekhkar Nishchal ki aankho mein aanshu aa gaye aur uski hichkiyan nikalni shuru ho gayi. Nishchal ko rota dekhkar Savita ne turant uske aanhsu poche aur kaha.


Savi- Tu ro kyon raha hai Nishu. Ye to bahut Khushi ki baat main. Yakin mano main bahut khush hoon.

Nishchal- Sorry di.

Savi- Sorry kyon.

Nishchal- Maine aapka bahut dil dukhaya hai di. maine aapki baat nahi mani di. main aapka achha bhaai nahi hoon di. mujhe maaf kar do.

Savi- Ye tu kaisi bate kar raha hai. Tumhare jaisa bhaai to kismet wali bahan ko milta hai. tumse badhakar mere liye aur kuchh bhi nahi hai Nishu. Teri Khushi mein hi meri Khushi hai.

Nishchal- Soryy di. ab bahut achhi hain.

Savi- (pyar se sir par marte huwe) Pagal nahi to. Main to us baat ko kab ka bhool chuki hoon tub hi bhool ja. Ab hat yaha se nahi to sara din upwas hi karna padega ham dono ko.


Savita ki baat sunkar Nishchal usase alag huwa aur jakar slab par baith gaya. Savita ne Nishchal ko chidhane ke liye gana gungunane lagi.


Savi- O laga laga laga re. laga laga laga re.
Laga laga laga re, laga prem rog.
Laga laga laga re, laga prem rog.


Nishchal- (sharmate huwe) Kya di. ab aap bhi shuru ho gayi.

Savi- oye hoye. Kyaa baat hai. Ab to tum sharmane bhi lage.


Savita ki baat sunkar Nishchal kitchen se nikal kar apne kamre mein chala gaya aur apne bister par letkar apne aap se bola.


Nishchal- Are yaar main bachho jaisa behave kyon kar raha hoon. Di kitna hans rahi hongi mujhpar.


Nishchal apni hi harkato ko sochkar muskuraye ja raha tha.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Manisha ne jaldvaji Kiya dikhaya nishchhal ko pol savita ke samne khol kar rakh diya। Phir jab pata chala kisse bat karni thi aor kisse kar liya tab tak der ho chuka tha. Khair savitha ke jor dene par manisha ne nishchhal ek ek pol khol diya.

Savitha ne nishchhal se jaane ka gajav tarika nikala aor nishchhal ne bhi flow flow me ssvikar kar liya vo sarita se pyaar karta hai. Savita ne pyaar ke sahi mayne nishchhal ko samjhaya jo shayad nishchhal ko pata na tha. Khai ab dekhte hai nishchal aur sarita ki prem kahani kab anjam tak pahuchta hai.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap::clapclap:
 

Top