Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

A

Avni

UPDATE- 83


Agli subah Sabhi jaldi sokar uthe. Mehndi ki Rasham thi Sabhi taiyariyo mein jute the. Buwa ji sabse pahle hi taiyar hokar aangan mein chauki lagakar baithi hui thi aur sabko order par order aur disha nidesh de rahi thi.


kabhi kisi Bhabhi ko pakadkar chaar baat suna deti to kabhi naina ji ko chaar baat sun-ni padti thi. isi bhagdaud mein samay bit raha tha. Sabhi taiyariya sham tak achhe se ho gayi.


Sham ko dholak ki thaap par menhandi aur sangit ke karyakram chal rahe the. Ek thaali mein 10-12 mehandi ke cone rakhe gaye the. Jo gulab ke phoolo se sajaya gaya tha. Sabse pahle buwa ji ne cone se Savita ke hatho mein kuchh banaya.


Savita ne ek dhani rang ka lahanga pahna huwa tha. Chehre par halka sa makeup kiya huwa tha. Buwa ji ke shubh karne ke baad parlar ki taraf se aayi ek ladki Savita ko mehandi laga rahi thi. Tabhi Manisha bhi waha aa gayi aur boli.


Manisha- Mujhe bhi lagwani hai mehandi.


Manisha ki baat sunkar Buwa ji ne munh bichkate huwe kaha.


Buwa ji- Tujhe badi jaldi hai mehandi lagwane ki. Pahle ghar ki bahuwe mehandi lagwa le. Fir bahar walo ka number aayega. Waise bhi abhi ladki khali nahi hai wo Savi bitiya ko mehandi laga rahi hai. to wo tumhe kaise mehandi lagayegi. Haan nahi to batao jara.


Buwa ji ki baat par Manisha ne kuchh bolna chaha, lekin Sarita ne uska hath pakadkar kuchh bolne se mana kar diya. Manisha ne kaha.


Manisha- Koi baat nahi buwa dadi ji. Main apni didiya se mehandi lagwaungi. Kya main is thali se ek mehandi ka cone le sakti hoon.


Ye baat Manisha ne Naina ji ki taraf dekhte huwe kaha to naina ji ne muskurate huwe apna sir haan mein hila diya. ye dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Itni bhi kya jaldi hai Manisha. Sab ko lag jane do mehandi. Fir baad mein laga lena.

Manisha- Nahi didiya. Mujhe mehandi lagakar didi ke sath photo click karna hai.

Savi- Kya huwa Sarita. Jab wo kah rahi hai to laga bhi do use.

Sarita- Thik hai di.


Itna kahkar Sarita ne ek mehandi ka cone thali se utha liya aur Manisha ko mehandi lagane lagi. Thodi der baad Manisha ke hatho mein mehandi lag gayi to Manisha ne kaha.


Manisha- Didiya mujhe bahut joro se bhookh lagi hai plz kuchh khane ko lao na.

Sarita- (gusse mein) Mujhe tumhari yahi sab harkate bilkul bhi pasand nahi aati Manisha. Jab tumhe pata hai ki tumse bhookh bardast nahi hoti to tum pahle hi khana kha sakti thin a.

Manisha- Mujhe kya pata tha ki itna samay lag jayega mehandi ke function mein. Plz didiya bahut joro ki bhokh lagi hai. subah hi khana khaya tha. Ab to raat bhi hone wali hai. kuchh khane ko lao na didiya.


Manisha abhi bol hi rahi thi ki Ek Bhabhi ki najar Manisha ke hath par padi. Manisha ke hatho mein lagi mehandi ko dekhkar Bhabhi ne kaha.


Bhabhi- Aree waah Sarita ji. Aapne to bahut achhi mehandi lagayi hai.

Manisha- Bhabhi ji. Meri didiya multi talented hain.

Bhabhi- Wo to hain hai. kya aap mujhe bhi mehandi laga sakti hain Sarita ji. Kyonki itni bhid hai mehandi lagwane ke liye mera number kal subah hi aayega.


Bhabhi ji ki baat sunkar Sab hansne lage. Sarita ne kaha.


Sarita- Kyon nahi Bhabhi ji. Isme puchhne wali kaun si baat hai.


Sarita ki baat sunkar Bhabhi ne apna hath aage badhaya to Sarita Bhabhi ke hatho mein apni kalakari dikhane lagi. Manisha Sarita ke paas se uthkar Savita ke paas chali gayi. Usne chachi ki ladki Deepali se kaha.


Manisha- Deepu. Meri aur didi ki ek sath ek photo click kar do.


Deepali ne photo click ki to wo photo Manisha ko achhi nahi lagi. Isliye Deepali ne lagatar 20-25 photo click kar li tab jakar Manisha ko santusti mili. Manisha ne Savita se kaha.


Manisha- Didi. Mujhe bahut joro ki bhookh lagi hai.

Savi- to jao kha lo. Halwai to khana bana hi raha hai.


Manisha ne Savita ki baat sunkar apne dono hatho ki taraf ishara karte huwe kaha.


Manisha- kaise khaungi?? Maine didiya ko bola to wo naraz ho gayi. ab to wo Bhabhi ke hatho mein mehandi laga rahi hain.

Savi- Ruko main Deepali ko kah de rahi hoon wo tumhe khila degi.

Manisha- Thik hai didi. Main kamre mein ja rahi hoon. Aap khana bhijwa dena Warna aapki param pujya buwa dadi ji ki najar mujhpar padi na to ho gaya bantadhar. Fir to mujhe upwas hi karna padega.


Savita uski baat sunkar khilkhilakar hansne lagi aur boli.


Savi- Thik hai jao main Deepali ko bhejti hoon khana lekar.


Savita ki baat sunkar Manisha ne Uske gaal chumte huwe kaha.


Manisha- Love you didi.

Savi- (muskurakar) Nautanki.


Savita ki baat sunkar Manisha hanste huwe kamre mein chali gayi. Savita ne Deepali se kaha to wo khana lene chali gayi.


Manisha kamre mein baithi huwi thi ki tabhi use Raghav ki aawaz sunayi padi.


Ragahv- main tumhare liye khana laya hoon. Kha lo.

Manisha- (hairani se) Tum?? Deepali kaha hai??

Raghav- Use chachi ji ne mehandi lagane ke liye bula liya hai.

Manisha- Tum sahi kah rahe ho na ki Deepali ko chachi ji ne bula liya tha mehandi lagane ke liye..

Raghav- main tumse jhooth kyon kahunga. Waise mehandi se yaad aaya. Tum apni mehandi to dikhao.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne Khushi se apna hath aage karte huwe kaha.


Manisha- ye dekho meri didiya ne lagaya hai.

Raghav- Are waah. Sarita ji to is kala mein bhi mahir hain. Tum kuchh sikho apni bahan se.

Manisha- (itrate huwe) Mujhe jaroorat nahi kuchh sikhne ki. Iske liye meri didiya hain na.

Raghav- Achha. Lekin tumhari didi tumhare sath hamesha ke liye to nahi rahnegi na.

Manisha- (apna hath niche karte huwe) Nahi wo hamesha mere sath hi rahengi.

Raghav- Achha thik hai, ab lo khana kha lo.

Manisha- tum kya andhe ho ya andhe hone ka natak kar rahe ho.

Raghav- (chauk kar) Ye tum kya kah rahi ho.

Manisha- Aur nahi to kya. Main jo bol rahi hoon wo sahi bol rahi hoon. Tumhe dikh nahi raha hai ki mere hath mein mehandi lagi hui hai. ab main kya pair se khana khaungi.

Raghav- Ho sakta hai tum pair se bhi khana khati ho. Kyonki apni bahan ki tarah tum bhi to multi talented ho.


Itna kahkar Ragahv hansne laga to Manisha ne uski taraf gusse se dekhte huwe kaha.


Manisha- You???????

Raghav- Are bas bas. Ab gussa mat ho jana. Main khila dunga tumhe.

Manisha- Jaldi khilao mujhe bahut joro se bhookh lagi hai.

Raghav- Tumhe to ek ghante pahle hi joro ki bhookh lagi thi. Abhi tak joro ki hi bhokh lagi hai.

Manisha- Kyon pareshan kar rahe ho. khilao na.


Raghav Manisha ke paas baith gaya aur bed par plate rakh kar Manisha ko apne hatho se khana khilane laga. Khana khilate huwe Raghav ne kaha.


Raghav- waise to tumhari mehandi bahut hi achhi hai. par ye bich mein heart ke shap ke bich mein jo R likha huwa hai. uska matlab kya hai.


Raghav ke ye poochne par Manisha hadbada gayi. aur haklate huwe boli.


Manisha- Wo…woo… woo. To maine bas aise hi likhwa liya di se.

Raghav- Ohhh. Achha. Aise hi likhawa liya. Mujhe to laga tha ki kisi ke naam ka pahla word hai.

Manisha- Nahi to aisa kuchh bhi nahi hai.

Raghav- Mujhe to aisa hi lag raha hai. batao na kya hai is R ka matlab.

Manisha- Maine kaha na ki aisa kuchh bhi nahi hai. wo to bas maine aise hi likhwa liya.

Raghav- Nahi tum jhooth bol rahi ho. Kisi ka naam to hai is R se.

Manisha- Tum galat samajh rahe ho. kisi ka bhi naam nahi hai.

Raghav- Tum jhooth bol rahi ho.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne Raghav ki ungli jo uske munh ke paas thi use apne munh mein bhar liya aur dant se kaat liya. Raghav ne Aauuuchhhhh ki aawaz ki aur kaha.


Raghav- Aaaaaauuuuuchhh. Ye kya kar rahi ho?? ek to main tumhe apne hatho se khana khila raha hoon. Upar se tumne meri ungli ko hi khana samajh liya hai.

Manisha- Jab main mana kar rahi hoon to tum baar baar kyon pooch rahe ho. ye usi baat ki saza hai.

Raghav- Ye achhi jabardasti hai tumhari.


Abhi dono baat hi kar rahe the ki Nishchal waha par aa dhamka. Usne dono ko aise dekh liya to bola.


Nishchal- Ye sab kya ho raha hai bhaai.


Abhi Raghav Kuchh bolta usase pahle hi Manisha bol padi.


Manisha- Dekhiye na boss. Ye mujhe thik se khana nahi khila raha hai. kuchh bol rahi hoon to ulta jabardasti kar raha hai.


Manisha ki baat sunkar jab Nishchal ne Raghav ki taraf dekha to Usne kaha.


Raghav- Meri taraf aisi nagaho se mat dekho. Ye khud hi itna bak bak kiye ja rahi hai ki mujhe kuchh bolne ka samay hi nahi de rahi hai. ulta tum aa gaye to meri hi shikayat laga rahi hai.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ne Manisha ki taraf dekha. Fir Raghav ki taraf dekhte huwe kaha.


Nishchal- Ye baat to tumne bilkul sahi kahi Ki ye apne aage kisi ki sunti hi nahi hai. Ab dekho na Buwa dadi ji ki khatiya isne alag hi khadi ki hui hai. Buwa dadi ji ise dekhte hi aise bhagti hain jaise koi bhoot dekh liya ho.


Nishchal ki baat sunkar Ragahv hansne laga to Manisha ne gusse se apna munh bana liya to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Sorry chhote miya. Tum naraz mat hona. Bas tumhare sath thodi si maskhari kar raha tha. Savi di ko khana khilana padega kyonki Unke hatho mein mehandi lagi hui hai.

Raghav- Hmmm. Maine to di se poochha tha to unhone bola hai ki abhi thodi der mein khayengi. To maine socha tab tak is bhukkhad ko hi khila doon. Jo kab se bahut joro ki bhookh lagi hai ki rat lagaye ja rahi thi.

Manisha- (gusse mein) Kya kaha. Main bhukkhad hoon. Jao main nahi khati khana.

Raghav- Are yaar tum baat baat par naraz kyon ho jati ho. ab kya main tumhare sath Mazak bhi nahi kar sakta kya.

Manisha- Nahi tum mere sath Mazak nahi kar sakte. Main tumhari Bhabhi nahi hoon. Samjhe.

Raghav- (Aankh marker dhire se) To fir kya ho tum meri.

Manisha- (Najre nichi karke) Mujhe nahi pata. Ab tum shant raho nahi to boss se tumhari shikayat kar dungi.

Raghav- kar do na. main tumhare boss se darta thode hi hoon. Shayad tumhe yaad nahi hai to main tumhe bata doon ki tumhara boss mera bhaai hai.

Nishchal- (bich mein) Tum dono bas karo ab. Hamesha ladne par hi lage rahte ho. (apne man mein) Pata nahi meri lady don ne bhi kuchh khaya hai ya nahi. Par wo mere hath se khayegi bhi nahi.


Idhar Nishchal yahi sab soch raha tha aur Nishchal ki baat sunkar Raghav aur Manisha shant ho gaye the. Is shanti ko bhang karte huwe Raghav ne Manisha se poochha.


Raghav- aur khana hai.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne apna sir na mein hila diya. Manisha ki baat sunkar Raghav muskurate huwe waha se chala gaya. Raghav ke jane ke baad Manisha ne Nishchal se kaha.


Manisha- Boss dekho meri mehandi kaisi lagi hai.

Nishchal- Bahut Achhi hai.

Manisha- kisne lagaya hai batao jara.

Nishchal- Mehandi wali ne lagaya hoga aur kisne lagaya hoga.

Manisha- Galat. Meri didiya ne lagaya hai.

Nishchal- (hairan hote huwe) Kyaa?? Sach mein.

Manisha- Aur nahi to kya main aapse jhooth bolungi.

Nishchal- Mujhe nahi pata tha ki lady don ko ye sab bhi bahut achhi tarike se aata hai.


Nishchal ki baat sunkar Manisha apni badai jhadte huwe boli.


Manisha- Aap bhool rahe hain boss ki wo meri didiya hai to use to ye sab aana hi tha.

Nishchal- (hanste huwe) Haan wo to hai. main to bhool hi gaya tha ki wo tumhari didi hai. kisi bhi mamle mein tum usase pichhe nahi ho. Achha ab tum aaram karo. Main bahar ka sab intejam dekhkar aata hoon.

Manisha- Waise aap yaha aaye kyon the.

Nishchal- Aaye kyon the ka kya matlab. Ab main apne hi ghar mein kahin aa ja nahi sakta kya??

Manisha- Are boss. Mera wo matlab nahi tha. Main to bas ye puchh rahi thi ki koi kaam tha kya aapko??

Nishchal- Nahi to. Wo di ne bheja tha ki dekh loon ki tumne abhi tak khana khaya hai ya nahi.

Manisha- Thik hai boss. Ab aap jaiye aur jate jate didiya ko bhi dekh lena.

Nishchal- Wo bhala kisliye??

Manisha- Aapne subah se didiya ko dekha nahi hai na. isliye.

Nishchal- (muskurate huwe) Tum bahut badmas ho chhote miya. Abhi tum aaram karo main jakar aata hoon.


Nishchal waha se nikal kar bahar aaya to aangan mein Sarita bhabhiyo se ghiri hui thi. sabhi bhabhiya usi se mehandi lagwa rahi thi. Sarita bhabhiyon ko mehandi laga rahi thi. uske balo ki ek lat baar baar aage ki or aa rahi thi. jisase Sarita ko dikkat ho rahi thi aur wah apne hath se baar baar apni lat ko apne kano ke pichhe kar rahi thi.


Sarita ka yah roop Nishchal ko itna achha lag raha tha ki wo apne dono hath bandhkar pilar ke Sahare tak lagakar ektak Sarita ko dekhne laga. Sarita ko bhi iska andaza ho gaya tha ki koi use dekh raha hai.


Sarita ne jab najar uthakar dekha to nishchal ko waha khade huwe paya. Nishchal ko apni taraf ektak dekhta pakar anayas hi Sarita ke hontho par muskan aa gayi. Sarita ko muskurata dekhkar Nishchal bhi muskurane laga. Tabhi Naina ji ne villan ka kaam karte huwe nishchal se poochha.


Naina ji- Nishu. Tum waha khade khade kya dekh rahe ho.

Nishchal- wo maa main ye poochhne ke liye aaya tha ki aap log khana abhi khayenge to main khana yahin lagwa deta hoon.


Nishchal ki baat sunkar Padosh ki ek dadi ne kaha.


Dadi- Nishu betwa. Tum kyon chinta kar rahe ho?? sabke aadmi apni apni biviyon ko khana khila denge.


Dadi ke aisa bolte hi sabhi log munh dabakar hansne lage to naina ji ne kaha.


Naina ji- tum pareshan mat ho Nishu. Sab lone mein hi kha lenge. Tum jakar aaram karo.


Tabhi buwa ji ne bhi apna munh kholte huwe kaha.


Buwa ji- Jinko abhi mehandi nahi lagi hai wo jakar khana kha lein. Uske baad wo mehandi lagwa lengi
.

Niana ji- Mehandi sabko lag chuki hai. bas main aur Sarita hi bache hain buwa ji.

Sarita- Aaiye Aunty ji main aapko bhi mehandi laga deti hoon.

Naina ji- Are nahi beta. Tum kab se sabko mehandi laga rahi ho. Ek to tumhari aadat nahi hai aisa kaam karne ki. Jiske karan tumhara hath bhi dard kar raha hoga. Tum rahne do. Main mehandi wali se lagwa lungi. Tab tak tum jakar khana kha lo.


Sarita ne paas mein baithi ek Bhabhi se kaha.


Sarita- Chaliye Bhabhi main aapko khana khila deti hoon.

Bhabhi- Are nahi Sarita ji. Abhi sab log jab khane lagenge to main kha lungi. Aise akele mein achha nahi lagta na.


Buwa ji ko mauka chahiye tha char baat sunane ke liye. Jo unhe mil gaya. Buwa ji ne kaha.


Buwa ji- hamare ghar mein ye sanskar nahi hain ki bahu pahle hi khana kha le aur saas bhukhi baithi rahe. Tumhare ghar mein ye sanskar honge. Hamara yaha nahi..

Sarita- mere kahne ka ye matlab bilkul bhi nahi tha.


Sarita ko ye baat kharab jaroor lagi thi, lekin usne koi reaction nahi kiya. Naina ji ne baat ko sambhalte huwe kaha.


Naina ji- Beta ab tum jao aur jakar khana kha lo. Uske baad aakar mehandi lagwa lena.

Sarita- Thik hai Aunty ji jaisa aap kahein.


Itna kahkar Sarita khana khane chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Fabulous update mahi jii..Shadi ke us mahol ko bigadna jese bua ji kifitarat ban gyii hai. Sarita aur manisha, bhabhi sabhi ko do bate sunake unko saanti milti hai. aj ke din raghav bach gaya bua ji ke prakop se. dusri orr manisha ke mehndi lagi hath me apne naam ka pehla akshar dekh raghav khush ho gaya. lekin Sarita sayad hi nishchal ka pehla akshar N akshar likhne degi apne hath pe. Sarita ki khubsurati me khoya nischal ko apni orr dekhta dekh Sarita bhi muskura di.. kya wo ek ishara tha ishq ka .
 
A

Avni

Agar mujhse pucho toh mere liye sab se jaruri hun mein khude. Na hi vo so called dost aur nahi sanskar. But...at the present mein waha se chala jaunga par in a way ki upper hand mera rahe...aur baad mein uss family and mere uss dost ke liye problems create karunga. Iss hadh tak ki they suffer in it.

Kutto par focus nahin karte hum kyuki unka kaam hai bhokna. Par agar koe friend aapko beijjat hota dekh kar chup chap maje le raha hai toh wah friend nahin baggage hain...uss ko toh suffer karna hi hai.
Naina ma'am manipulate kar rahi hai apko . waha aisa kuch nahi hua tha. nishchal ki bua dadi ji purane vichar dhara ki hai, isliye do bate sabhi ko suna rahi thi . aur savi didi hans nahi rahi thi balki unko bhi dukh pahucha tha. unhone khud kaha ke Sarita aur manisha dono uske bahut achi dost hai. isliye dono ko kuch na kahe.
 
A

Avni

1) . Mahendra aur naina ke khaandaan mein to sab kaamchor aur aalsi log hi bhare pade hai.... chii chii us bechari bua ji ko ab bhi unlogo jimmedaariya samjhani pad rahi hai... aise kaamchor family aur khaandan ki ladki ko anant aise kaise shaadi kar sakta hai. kal ko savita jo uske ghar bahu banke jaayegi tab anant ke ma baap ke dwara hi sara kaam karwayegi....


2) ye manisha kitni begairat hai.... itna kuch sunne baad bhi wohi khadi hai ab tak.... aur besharmo ki tarah Sarita se mehandi lagane ko zid kar kar rahi hai.... are agar koi aur hota hota apne ghar laut aata.... lekin ye manisha thi jo us hamarjade raghav ke hawas le rang se rangi ek chinnar..... ab chinnar logis ko kahe ki sharam :roflol: chinnar matlab bitch

3) wah re nischal ke khandaan wale.... ghar aaye mehmaan se kaam karwa rahi hai aur wo kutiya naina ye dekh hansh rahi hai.... are dhitkaar hai naina mahendra par.... aak thu hai in pe :yuck:

4) ab iske baad kahani wohi raghav ko chance mil gaya manisha ke paas aane ka...
50 rupya kaat re is harami raghav ke overacting ka :roflol:

5) waise Sarita sach mein chutiya hai...uski bahan apne hatho mein R likhwa li.... par Sarita ne ek baar bhi shaq nahi kiya..... are kya hi police wali banegi wo :roflol:

6 ) ab savita ko bahot chul machi thi ye janne ke liye uska harami bhai raghav manisha ke sath kis tarah hawas mita raha hai.... to apne dusre hawasi bhai ko bhej diya ye dekhne ke liye.... lekin dhak ke teen paat aisa kuch hua hi nahi..... nischal soch raha hoga ki raghav aur manisha ka asleel video banake savita dikhaye..:D .jish se savita aur garam hoke anant ke sath sex kare aur nischal un dono ko dekh maza le. .... :hot: ye nischal aur savita hi aise hai ki inka pura khandaan hi aisa hai... :laugh1:
aur aise khandaan ki ladki se shaadi kar raha hai anant.... Chiiii.... :yuck1:

7) itna hawas bhara pada hai ush mein ki mehandi lagane wale room mein nischal aankho se hi hawas mita raha tha Sarita ke badan ko dekh dekh ke........ kutiya naina sab kuch jaanti thi... Lekin ushe dar tha ki kahi uske harami bete ke sath sath Naina ushe bhi na lapet le revo pe ...... isliye nischal ke rang bhang kar diya.....
udhar Sarita jiski badan baar baar hawas ki siharan daudti hai wo nischal ko dekh kisi chinnar ki tarah hansh ke invite kar rahi thi nischal ko... :roflol:
Welldone Mahi Maurya ji.... Mubarak ho :lol1: mahendra budhau ke ghar ki side effects ke chalte Sarita abhi se bahakne lag gayi :roflol:
sochiye jab shaadi hoke aayegi to jaane three four kitne some kare ,aur kitno ke sath kare :akshay:


8) itni jillat ke baad kya ab bhi Sarita aur manisha ko waha us haramjado ke ghar rukna chaahiye.... Shaadi mein sarik hone aayi thi dono.... beijjat hone nahi.....

Ares SiddHart TheBlackBlood Destiny Vaishnavi Aanya Aakesh.
aaj main aap logo se puchti hoon ki.... agar aap log kisi friend ki shaadi mein jaaye aur waha aapko baat baat pe bina matlab ke khodi khoti sunaye us friend ke gharwaale . sabke saamne beijjat kare....aapke sanskaar pe sawal uthaye....to kya aap log us shaadi ke ghar mein rookenge.... ? aur sabse badi baat ye ki aapka wo friend aapko beijjat hota dekh chup chap maje le raha ho to.... tab aap log kya karenge....?
aap logo ke jawab hi se ab ye faisla hoga ki Sarita ush savita ki shaadi ke ghar rukegi ki nahi .....

khair. ....
Shaandaar kahani, shaandaar lekhni, shaandaar shabdon ka chayan aur sath hi dilchasp kirdaaron ki bhumika bhi ...

Let's see what happens next..
Brilliant update with awesome writing skills :clapping: :clapping:
Savi didi, raghav naam se koi asal jindgi me dusman hai. jinse chid hai apko . unka gussa ap story par utar rhii hei.
 
ᴋɪɴᴋʏ ᴀꜱ ꜰᴜᴄᴋ
995
1,082
143
UPDATE- 83


Agli subah Sabhi jaldi sokar uthe. Mehndi ki Rasham thi Sabhi taiyariyo mein jute the. Buwa ji sabse pahle hi taiyar hokar aangan mein chauki lagakar baithi hui thi aur sabko order par order aur disha nidesh de rahi thi.


kabhi kisi Bhabhi ko pakadkar chaar baat suna deti to kabhi naina ji ko chaar baat sun-ni padti thi. isi bhagdaud mein samay bit raha tha. Sabhi taiyariya sham tak achhe se ho gayi.


Sham ko dholak ki thaap par menhandi aur sangit ke karyakram chal rahe the. Ek thaali mein 10-12 mehandi ke cone rakhe gaye the. Jo gulab ke phoolo se sajaya gaya tha. Sabse pahle buwa ji ne cone se Savita ke hatho mein kuchh banaya.


Savita ne ek dhani rang ka lahanga pahna huwa tha. Chehre par halka sa makeup kiya huwa tha. Buwa ji ke shubh karne ke baad parlar ki taraf se aayi ek ladki Savita ko mehandi laga rahi thi. Tabhi Manisha bhi waha aa gayi aur boli.


Manisha- Mujhe bhi lagwani hai mehandi.


Manisha ki baat sunkar Buwa ji ne munh bichkate huwe kaha.


Buwa ji- Tujhe badi jaldi hai mehandi lagwane ki. Pahle ghar ki bahuwe mehandi lagwa le. Fir bahar walo ka number aayega. Waise bhi abhi ladki khali nahi hai wo Savi bitiya ko mehandi laga rahi hai. to wo tumhe kaise mehandi lagayegi. Haan nahi to batao jara.


Buwa ji ki baat par Manisha ne kuchh bolna chaha, lekin Sarita ne uska hath pakadkar kuchh bolne se mana kar diya. Manisha ne kaha.


Manisha- Koi baat nahi buwa dadi ji. Main apni didiya se mehandi lagwaungi. Kya main is thali se ek mehandi ka cone le sakti hoon.


Ye baat Manisha ne Naina ji ki taraf dekhte huwe kaha to naina ji ne muskurate huwe apna sir haan mein hila diya. ye dekhkar Sarita ne kaha.


Sarita- Itni bhi kya jaldi hai Manisha. Sab ko lag jane do mehandi. Fir baad mein laga lena.

Manisha- Nahi didiya. Mujhe mehandi lagakar didi ke sath photo click karna hai.

Savi- Kya huwa Sarita. Jab wo kah rahi hai to laga bhi do use.

Sarita- Thik hai di.


Itna kahkar Sarita ne ek mehandi ka cone thali se utha liya aur Manisha ko mehandi lagane lagi. Thodi der baad Manisha ke hatho mein mehandi lag gayi to Manisha ne kaha.


Manisha- Didiya mujhe bahut joro se bhookh lagi hai plz kuchh khane ko lao na.

Sarita- (gusse mein) Mujhe tumhari yahi sab harkate bilkul bhi pasand nahi aati Manisha. Jab tumhe pata hai ki tumse bhookh bardast nahi hoti to tum pahle hi khana kha sakti thin a.

Manisha- Mujhe kya pata tha ki itna samay lag jayega mehandi ke function mein. Plz didiya bahut joro ki bhokh lagi hai. subah hi khana khaya tha. Ab to raat bhi hone wali hai. kuchh khane ko lao na didiya.


Manisha abhi bol hi rahi thi ki Ek Bhabhi ki najar Manisha ke hath par padi. Manisha ke hatho mein lagi mehandi ko dekhkar Bhabhi ne kaha.


Bhabhi- Aree waah Sarita ji. Aapne to bahut achhi mehandi lagayi hai.

Manisha- Bhabhi ji. Meri didiya multi talented hain.

Bhabhi- Wo to hain hai. kya aap mujhe bhi mehandi laga sakti hain Sarita ji. Kyonki itni bhid hai mehandi lagwane ke liye mera number kal subah hi aayega.


Bhabhi ji ki baat sunkar Sab hansne lage. Sarita ne kaha.


Sarita- Kyon nahi Bhabhi ji. Isme puchhne wali kaun si baat hai.


Sarita ki baat sunkar Bhabhi ne apna hath aage badhaya to Sarita Bhabhi ke hatho mein apni kalakari dikhane lagi. Manisha Sarita ke paas se uthkar Savita ke paas chali gayi. Usne chachi ki ladki Deepali se kaha.


Manisha- Deepu. Meri aur didi ki ek sath ek photo click kar do.


Deepali ne photo click ki to wo photo Manisha ko achhi nahi lagi. Isliye Deepali ne lagatar 20-25 photo click kar li tab jakar Manisha ko santusti mili. Manisha ne Savita se kaha.


Manisha- Didi. Mujhe bahut joro ki bhookh lagi hai.

Savi- to jao kha lo. Halwai to khana bana hi raha hai.


Manisha ne Savita ki baat sunkar apne dono hatho ki taraf ishara karte huwe kaha.


Manisha- kaise khaungi?? Maine didiya ko bola to wo naraz ho gayi. ab to wo Bhabhi ke hatho mein mehandi laga rahi hain.

Savi- Ruko main Deepali ko kah de rahi hoon wo tumhe khila degi.

Manisha- Thik hai didi. Main kamre mein ja rahi hoon. Aap khana bhijwa dena Warna aapki param pujya buwa dadi ji ki najar mujhpar padi na to ho gaya bantadhar. Fir to mujhe upwas hi karna padega.


Savita uski baat sunkar khilkhilakar hansne lagi aur boli.


Savi- Thik hai jao main Deepali ko bhejti hoon khana lekar.


Savita ki baat sunkar Manisha ne Uske gaal chumte huwe kaha.


Manisha- Love you didi.

Savi- (muskurakar) Nautanki.


Savita ki baat sunkar Manisha hanste huwe kamre mein chali gayi. Savita ne Deepali se kaha to wo khana lene chali gayi.


Manisha kamre mein baithi huwi thi ki tabhi use Raghav ki aawaz sunayi padi.


Ragahv- main tumhare liye khana laya hoon. Kha lo.

Manisha- (hairani se) Tum?? Deepali kaha hai??

Raghav- Use chachi ji ne mehandi lagane ke liye bula liya hai.

Manisha- Tum sahi kah rahe ho na ki Deepali ko chachi ji ne bula liya tha mehandi lagane ke liye..

Raghav- main tumse jhooth kyon kahunga. Waise mehandi se yaad aaya. Tum apni mehandi to dikhao.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne Khushi se apna hath aage karte huwe kaha.


Manisha- ye dekho meri didiya ne lagaya hai.

Raghav- Are waah. Sarita ji to is kala mein bhi mahir hain. Tum kuchh sikho apni bahan se.

Manisha- (itrate huwe) Mujhe jaroorat nahi kuchh sikhne ki. Iske liye meri didiya hain na.

Raghav- Achha. Lekin tumhari didi tumhare sath hamesha ke liye to nahi rahnegi na.

Manisha- (apna hath niche karte huwe) Nahi wo hamesha mere sath hi rahengi.

Raghav- Achha thik hai, ab lo khana kha lo.

Manisha- tum kya andhe ho ya andhe hone ka natak kar rahe ho.

Raghav- (chauk kar) Ye tum kya kah rahi ho.

Manisha- Aur nahi to kya. Main jo bol rahi hoon wo sahi bol rahi hoon. Tumhe dikh nahi raha hai ki mere hath mein mehandi lagi hui hai. ab main kya pair se khana khaungi.

Raghav- Ho sakta hai tum pair se bhi khana khati ho. Kyonki apni bahan ki tarah tum bhi to multi talented ho.


Itna kahkar Ragahv hansne laga to Manisha ne uski taraf gusse se dekhte huwe kaha.


Manisha- You???????

Raghav- Are bas bas. Ab gussa mat ho jana. Main khila dunga tumhe.

Manisha- Jaldi khilao mujhe bahut joro se bhookh lagi hai.

Raghav- Tumhe to ek ghante pahle hi joro ki bhookh lagi thi. Abhi tak joro ki hi bhokh lagi hai.

Manisha- Kyon pareshan kar rahe ho. khilao na.


Raghav Manisha ke paas baith gaya aur bed par plate rakh kar Manisha ko apne hatho se khana khilane laga. Khana khilate huwe Raghav ne kaha.


Raghav- waise to tumhari mehandi bahut hi achhi hai. par ye bich mein heart ke shap ke bich mein jo R likha huwa hai. uska matlab kya hai.


Raghav ke ye poochne par Manisha hadbada gayi. aur haklate huwe boli.


Manisha- Wo…woo… woo. To maine bas aise hi likhwa liya di se.

Raghav- Ohhh. Achha. Aise hi likhawa liya. Mujhe to laga tha ki kisi ke naam ka pahla word hai.

Manisha- Nahi to aisa kuchh bhi nahi hai.

Raghav- Mujhe to aisa hi lag raha hai. batao na kya hai is R ka matlab.

Manisha- Maine kaha na ki aisa kuchh bhi nahi hai. wo to bas maine aise hi likhwa liya.

Raghav- Nahi tum jhooth bol rahi ho. Kisi ka naam to hai is R se.

Manisha- Tum galat samajh rahe ho. kisi ka bhi naam nahi hai.

Raghav- Tum jhooth bol rahi ho.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne Raghav ki ungli jo uske munh ke paas thi use apne munh mein bhar liya aur dant se kaat liya. Raghav ne Aauuuchhhhh ki aawaz ki aur kaha.


Raghav- Aaaaaauuuuuchhh. Ye kya kar rahi ho?? ek to main tumhe apne hatho se khana khila raha hoon. Upar se tumne meri ungli ko hi khana samajh liya hai.

Manisha- Jab main mana kar rahi hoon to tum baar baar kyon pooch rahe ho. ye usi baat ki saza hai.

Raghav- Ye achhi jabardasti hai tumhari.


Abhi dono baat hi kar rahe the ki Nishchal waha par aa dhamka. Usne dono ko aise dekh liya to bola.


Nishchal- Ye sab kya ho raha hai bhaai.


Abhi Raghav Kuchh bolta usase pahle hi Manisha bol padi.


Manisha- Dekhiye na boss. Ye mujhe thik se khana nahi khila raha hai. kuchh bol rahi hoon to ulta jabardasti kar raha hai.


Manisha ki baat sunkar jab Nishchal ne Raghav ki taraf dekha to Usne kaha.


Raghav- Meri taraf aisi nagaho se mat dekho. Ye khud hi itna bak bak kiye ja rahi hai ki mujhe kuchh bolne ka samay hi nahi de rahi hai. ulta tum aa gaye to meri hi shikayat laga rahi hai.


Raghav ki baat sunkar Nishchal ne Manisha ki taraf dekha. Fir Raghav ki taraf dekhte huwe kaha.


Nishchal- Ye baat to tumne bilkul sahi kahi Ki ye apne aage kisi ki sunti hi nahi hai. Ab dekho na Buwa dadi ji ki khatiya isne alag hi khadi ki hui hai. Buwa dadi ji ise dekhte hi aise bhagti hain jaise koi bhoot dekh liya ho.


Nishchal ki baat sunkar Ragahv hansne laga to Manisha ne gusse se apna munh bana liya to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Sorry chhote miya. Tum naraz mat hona. Bas tumhare sath thodi si maskhari kar raha tha. Savi di ko khana khilana padega kyonki Unke hatho mein mehandi lagi hui hai.

Raghav- Hmmm. Maine to di se poochha tha to unhone bola hai ki abhi thodi der mein khayengi. To maine socha tab tak is bhukkhad ko hi khila doon. Jo kab se bahut joro ki bhookh lagi hai ki rat lagaye ja rahi thi.

Manisha- (gusse mein) Kya kaha. Main bhukkhad hoon. Jao main nahi khati khana.

Raghav- Are yaar tum baat baat par naraz kyon ho jati ho. ab kya main tumhare sath Mazak bhi nahi kar sakta kya.

Manisha- Nahi tum mere sath Mazak nahi kar sakte. Main tumhari Bhabhi nahi hoon. Samjhe.

Raghav- (Aankh marker dhire se) To fir kya ho tum meri.

Manisha- (Najre nichi karke) Mujhe nahi pata. Ab tum shant raho nahi to boss se tumhari shikayat kar dungi.

Raghav- kar do na. main tumhare boss se darta thode hi hoon. Shayad tumhe yaad nahi hai to main tumhe bata doon ki tumhara boss mera bhaai hai.

Nishchal- (bich mein) Tum dono bas karo ab. Hamesha ladne par hi lage rahte ho. (apne man mein) Pata nahi meri lady don ne bhi kuchh khaya hai ya nahi. Par wo mere hath se khayegi bhi nahi.


Idhar Nishchal yahi sab soch raha tha aur Nishchal ki baat sunkar Raghav aur Manisha shant ho gaye the. Is shanti ko bhang karte huwe Raghav ne Manisha se poochha.


Raghav- aur khana hai.


Raghav ki baat sunkar Manisha ne apna sir na mein hila diya. Manisha ki baat sunkar Raghav muskurate huwe waha se chala gaya. Raghav ke jane ke baad Manisha ne Nishchal se kaha.


Manisha- Boss dekho meri mehandi kaisi lagi hai.

Nishchal- Bahut Achhi hai.

Manisha- kisne lagaya hai batao jara.

Nishchal- Mehandi wali ne lagaya hoga aur kisne lagaya hoga.

Manisha- Galat. Meri didiya ne lagaya hai.

Nishchal- (hairan hote huwe) Kyaa?? Sach mein.

Manisha- Aur nahi to kya main aapse jhooth bolungi.

Nishchal- Mujhe nahi pata tha ki lady don ko ye sab bhi bahut achhi tarike se aata hai.


Nishchal ki baat sunkar Manisha apni badai jhadte huwe boli.


Manisha- Aap bhool rahe hain boss ki wo meri didiya hai to use to ye sab aana hi tha.

Nishchal- (hanste huwe) Haan wo to hai. main to bhool hi gaya tha ki wo tumhari didi hai. kisi bhi mamle mein tum usase pichhe nahi ho. Achha ab tum aaram karo. Main bahar ka sab intejam dekhkar aata hoon.

Manisha- Waise aap yaha aaye kyon the.

Nishchal- Aaye kyon the ka kya matlab. Ab main apne hi ghar mein kahin aa ja nahi sakta kya??

Manisha- Are boss. Mera wo matlab nahi tha. Main to bas ye puchh rahi thi ki koi kaam tha kya aapko??

Nishchal- Nahi to. Wo di ne bheja tha ki dekh loon ki tumne abhi tak khana khaya hai ya nahi.

Manisha- Thik hai boss. Ab aap jaiye aur jate jate didiya ko bhi dekh lena.

Nishchal- Wo bhala kisliye??

Manisha- Aapne subah se didiya ko dekha nahi hai na. isliye.

Nishchal- (muskurate huwe) Tum bahut badmas ho chhote miya. Abhi tum aaram karo main jakar aata hoon.


Nishchal waha se nikal kar bahar aaya to aangan mein Sarita bhabhiyo se ghiri hui thi. sabhi bhabhiya usi se mehandi lagwa rahi thi. Sarita bhabhiyon ko mehandi laga rahi thi. uske balo ki ek lat baar baar aage ki or aa rahi thi. jisase Sarita ko dikkat ho rahi thi aur wah apne hath se baar baar apni lat ko apne kano ke pichhe kar rahi thi.


Sarita ka yah roop Nishchal ko itna achha lag raha tha ki wo apne dono hath bandhkar pilar ke Sahare tak lagakar ektak Sarita ko dekhne laga. Sarita ko bhi iska andaza ho gaya tha ki koi use dekh raha hai.


Sarita ne jab najar uthakar dekha to nishchal ko waha khade huwe paya. Nishchal ko apni taraf ektak dekhta pakar anayas hi Sarita ke hontho par muskan aa gayi. Sarita ko muskurata dekhkar Nishchal bhi muskurane laga. Tabhi Naina ji ne villan ka kaam karte huwe nishchal se poochha.


Naina ji- Nishu. Tum waha khade khade kya dekh rahe ho.

Nishchal- wo maa main ye poochhne ke liye aaya tha ki aap log khana abhi khayenge to main khana yahin lagwa deta hoon.


Nishchal ki baat sunkar Padosh ki ek dadi ne kaha.


Dadi- Nishu betwa. Tum kyon chinta kar rahe ho?? sabke aadmi apni apni biviyon ko khana khila denge.


Dadi ke aisa bolte hi sabhi log munh dabakar hansne lage to naina ji ne kaha.


Naina ji- tum pareshan mat ho Nishu. Sab lone mein hi kha lenge. Tum jakar aaram karo.


Tabhi buwa ji ne bhi apna munh kholte huwe kaha.


Buwa ji- Jinko abhi mehandi nahi lagi hai wo jakar khana kha lein. Uske baad wo mehandi lagwa lengi
.

Niana ji- Mehandi sabko lag chuki hai. bas main aur Sarita hi bache hain buwa ji.

Sarita- Aaiye Aunty ji main aapko bhi mehandi laga deti hoon.

Naina ji- Are nahi beta. Tum kab se sabko mehandi laga rahi ho. Ek to tumhari aadat nahi hai aisa kaam karne ki. Jiske karan tumhara hath bhi dard kar raha hoga. Tum rahne do. Main mehandi wali se lagwa lungi. Tab tak tum jakar khana kha lo.


Sarita ne paas mein baithi ek Bhabhi se kaha.


Sarita- Chaliye Bhabhi main aapko khana khila deti hoon.

Bhabhi- Are nahi Sarita ji. Abhi sab log jab khane lagenge to main kha lungi. Aise akele mein achha nahi lagta na.


Buwa ji ko mauka chahiye tha char baat sunane ke liye. Jo unhe mil gaya. Buwa ji ne kaha.


Buwa ji- hamare ghar mein ye sanskar nahi hain ki bahu pahle hi khana kha le aur saas bhukhi baithi rahe. Tumhare ghar mein ye sanskar honge. Hamara yaha nahi..

Sarita- mere kahne ka ye matlab bilkul bhi nahi tha.


Sarita ko ye baat kharab jaroor lagi thi, lekin usne koi reaction nahi kiya. Naina ji ne baat ko sambhalte huwe kaha.


Naina ji- Beta ab tum jao aur jakar khana kha lo. Uske baad aakar mehandi lagwa lena.

Sarita- Thik hai Aunty ji jaisa aap kahein.


Itna kahkar Sarita khana khane chali gayi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
mehndi ki rasm me sarita ne kamal hi kar diya. sarita ko mehnadi lagana bahut achhe se aata hai. uski is kala ke kayal sabhi bhabhiya ho gai... dur khada nishchal bhi usko dekh dekh kayal ho raha tha. udhar raghav aur manisha ke bich bhi pyar bhari nok jhok ho raha tha. raghav ki ungli kat li manisha ne khate waqt.
lagta hai puri shadi ke har rasm par hungama karne ki kasam khayi hai bua ji ne.
kahani superb ja rahi hai.
 
Will Change With Time
Moderator
9,387
17,218
143
UPDATE- 80


Din bhar sabkuchh Achhe se bita, lekin sham hote hi ghar mein kohram sa mach gaya. Naukar chakar aur ghar ke sabhi sadasya jaise saham se gaye ho. ek bahut hi karkas aur raubdar aawaz kano mein gunji.


Mahendarwa. Those kitni baar kahe hain ki is naaspite ko hame lane aur le jane ke liye mat bhejwana, lekin tum ho ki hamri baat sunatai kaha ho. Sare raste iske sadan huwe tempo mein hamri kamariya toot gayi hai. wo to hamahi ko pata hai ki ham kaise sahi salamat hiya tak pahuche hain. Hain nahi to batao jara.


To ye Aawaz Kisi aur ki nahi thi balki Allahabad wali buwa ji ki thi. Ab Buwa ji ke bare mein thoda vistar se jaan liya
jaye.


Buwa ji ka naam Sanno devi hai. umar lagbhag 70 sal ke kareeb hai. Umar bhale hi 70 sal ki ho gayi hai, lekin Aawaz mein abhi bhi Wahi Raub hai jo jawani mein huwa karta tha. Wo Mahendra Rathod ki sagi buwa nahi haii.


Asal mein Mahendra Singh Rathod ke papa ke koi bahan nahi thi to unhone apni Mausi ki beti ko apni sagi bahan ki tarah maan aur daan diya. Shuru se hi Unki is ghar mein chalti thi. bahut hi kadak swabhav ki hain buwa ji. Unhe har cheez samay par aur achhi chahiye.


Mahendra ke pita laad ke karan kuchh nahi bolte the. Mahendra ji bhi Buwa ji ko bahut samman dete hai. Ye wahi buwa ji hain Jinhone Raghav ko god lete samay mein apna adanga lagaya tha. Buwa ji thahre purani Parampara aur samaj ke hisab se chalne wali to wo Raghav ko pasand nahi karti thi.


unka man-na tha ki Raghav kis gotra, kul aur jati ka hai ye maloom na hote huwe bhi Mahendra ne use god kaise le liya. Ye to Savita ki Jid thi. nahi to Buwa ka bas chalta to Raghav Is ghar mein nahi hota. Abhi Raghav Unhe lane ke liye gaya tha, isliye itna bakheda shuru huwa tha.



To ab aate hain kahani par.


Buwa ji ki kadkadati aawaz sunkar Naukaro aur anya Rishtedaro mein khusur fusur hone lagi ki buwa ji aa gayi. buwa ji aa gayi. Buwa ji ki kadak aawaz sunkar Mahendre ji aur Naina ji bahar aaye. Mahendra ji ne Buwa ji ke pair chhuwe.


Buwa ji ne us samay Charak ki hui plane krim colour ki suti sadi pahni huwi thi. ball safed. Aankho mein chashma. Gale mein kanthi ki mala aur hath mein ek chhota sa batuwa. Aur haan buwa ji ka takiya kalam tha
"haa nahi to batao jara"


Naina ji bhi jakar buwa ke pair chhuwe aur kaha.


Naina ji- Buwa ji aap aa gayi.

Buwa ji- Kyon nahi aana tha kya mujhe. Aakhir hamare mahendarwa ke baad kitne barash baad is ghar mein shadi ki shehnai baj rahi hai. hamari Savi bitiya ki shadi hai to hame aana hi tha, lekin tum logan ne Is naaspite ko hame lene bhejkar achha nahi kiya. Kahan hai Savi bitiya use bulao jara.


Buwa ji ki kadak aawaz sunkar Savita, Sarita aur Manisha bhi bahar aa chuke the. Savi ne aage badhkar buwa ji ke panv chhuwe. Jab buwa ji ki najar Sarita aur Manisha par padi to Unhone poocha.


Buwa ji- Aur sabko to ham pahchante hain par ye dono nawa prani kaun hain. Haan nahi to batao jara.

Savi- (dono ka parichay karwate huwe) Buwa dadi ji. Ye hamari dost hain. Ye Sarita hai Jo Nishu ke sath kaam karti hai aur ye hai Manisha.

Buwa jj- Ye badi wali to tumhari dost lag rahi hai, lekin ye chhotki tumhari dost nahi lag rahi hai. Ye tumse kitni chhoti hai.

Savi- Ye Dono bahane hain isliye dono meri dost hain.

Buwa ji- (Munh banate huwe) To in dono ko itni jaldi bulane ki ka jaroorat thi. Shadi wale din bulati inhe. Abhi inki kauno jaroorat naahi hai. haa nahi to batao jara


Buwa ji ki baat sunkar Sarita aur Manisha ko kya. Waha khade kisi bhi insan ko achha nahi laga. Kyonki dono do din mein hi sabse ghul mil gayi thi, buwa ji ki baat sunkar kisii ne kuchh kahne ki himmat nahi ki to Savita ne kaha.


Savi- Buwa ji ye dono meri khas dost hain. Isliye ye thode din pahle hi aa gayi.

Buwa ji- hamne aisa kya bol diya hai jo tum sabka munh ban gaya hai. haan nahi to batao jara.

Naina ji- (baat badalte huwe) Buwa ji aap pahle Aaram kar lijiye. Aap thak gayi hongi. Baate to baad mein bhi hoti rahengi.

Buwa ji- Haan bahuriya tum thik kah rahi ho. lekin in dono ne hamre pair nahi chhuwe. Haan nahi to batao jara.


Buwa ji ki baat sunkar Manisha ne man hi man kaha.


Manisha- budhiya tumne mauka hi kaha diya. aate hi sir par chadkar tandav karne lagi.


Buwa ji ki baat sunkar Sarita unke pair chhune ke liye jaise hi aage badhne ko hui. Manisha ne dhire se uski kalayi daba di to wo rukk gayi. Buwa ji ne phir se kaha.


Buwa ji- Tum dono khadi kyon ho. Aao mere pair chhuwo.

Manisha- Wo kya hai na Aunty ji ki hamare yahan par ladkiyon se pair nahi chhuwate.


Buwa ji Manisha ke jawab se gussa ho gayi aur kaha.


Buwa ji- Hamare Allahabad mein bhi chhoti bachhiyo ko pair nahi chhune dete, lekin tum dono to ghodi ho gayi ho.

Manisha- Nahi Aunty ji. Ham dono Abhi bachhiya hi hain. Ab aapko ham dono ghodi dikh rahe hain to aapka chashma kharab ho gaya hai. aap uska number badalwa lijiye.


Buwa ji ko aur adhik gussa aata isase pahle hi Mahendra ji ne kaha.


Manendra ji- Buwa ji. Aap chalkar pahle aaram kar lijiye. Uske baad aap inse apne pair chuwa lijiyega.


Buwa ji Mahendra ji ko gusse se dekhne lagi aur Sarita aur Manisha ke upar ek gusse bhari najar dalkar Mahendra ji ke sath kamre mein chali gayi. unke kamre mein jane ke baad Sarita ne Manisha ko dant-te huwe kaha.


Sarita- Ye kya tarika hai bado se baat karne ka Manisha.

Manisha- (munh banate huwe) Tumne dekha nahi unhe didiya. Wo kaise hamse baat kar rahi thi.

Sarita- To kya huwa. Wo badi hain hamse . agar unhone hame kuchh bol diya to thoda bardast nahi kar sakti thi.

Savi- Sorry. Tum dono buwa dadi ki baato ka bura mat man-na wo aisi hi hain.

Sarita- (muskurate huwe) Nahi di. bado ki baato ka kya bura man-na.


Sarita ka jawab sunkar Savita muskurane lagi. Mahendra ji aur Naina ji ne bhi Buwa ki kadwi baton ke karan mafi mangne lage to Sarita ne kaha.


Sarita- Are Uncle Aunty aap log Hame sharminda na karein. Shadi vivah ke ghar mein itna sab to chalta rahta hai aur yakin maniye hamko bilkul bhi bura nahi laga ki buwa dadi ji ne hame kuchh kaha hai. haan shuru shuru mein ye thoda atpata jaroor laga, lekin wo buwa dadi ji ka swabhav hai. ab sab sahi hai. Sab log ek jaise to nahi hote ha.


Sarita ki baat sunkar Naina ji ne uske Sir par hath pherte huwe kaha.


Naina ji- Jiti raho beti. Bahut achhe sanskar hain tumhare.


Isi tarah Aaj ka din bhi beet gaya. 4 din baad haldi ki rashm thi. Sarita aur Manisha ne bahut koshish ki ki unka Samna buwa ji se na ho. wo dono Buwa ji se jyada se jyada door rahne ki koshish kar rahi thi,


lekin Agar Samna ho jata tha aur buwa ji kuchh bol deti thi to Sarita chupchap sun leti thi, lekin Manisha unhe apne tarike se jawab de deti thi jisase buwa ji gussa ho jati. Fir dono mein kaha suni ho jati. Pichhle tin din se yahi sab chal raha tha.


Haldi ki rashm se ek din pahle sham ke wakt buwa ji ne Naina ji se kaha.


Buwa ji- Bahuriya. Koi videshi phoolo se nahi balki gende ke phool se aangan mahakna chahiye. Haa nahi to batao jara.

Naina ji- Ji buwa ji. Aap bilkul bhi chinta mat kijiye. Raghav ne Sab Intezam kar diya hai. Mali aakar ghar saza dega.

Buwa ji- (apna matha pitkar) Nishuwa ki Amma. Kya tumhari mati mari gayi hai jo har kaam mein us naspite ko shamil kar leti ho. ham bata de rahe hain ki agar hamka wo kisi bhi kaam mein aage dikha to ham usmein shamil nahi honge. Haan nahi to batao jara.

Naina ji- Aap aisa kyon kah rahi hain Buwa ji. Ham logo ko lag raha tha ki Nishu nahi hai to Sab kaam kaise hoga. Lekin Raghav ne sab kuchh Achhe se sambhal liya. Aaj agar wah nahi rahta to Savi ke papa akele pareshan ho jate. Usne sabkuchh bahut achhe se sambhal rakha hai Buwa ji.

Buwa ji- Us naspite ko sab kaam dene ki kya jaroorat thi. Hamko bolti to ham Apne Rameshwa ko bhej dete.

Naina ji- Aap ko pata hai ki Savi Raghav ko kitna chahti hai. Agar Raghav kisi Rashm mein shamil nahi hoga to Savi kisi Rashm mein nahi baithegi. Aakhir wo Bhai hai Savi ka. Aap samajhne ki koshish kijiye buwa ji.

Buwa ji- Hamka kuchho nahi pata. U Naspita Kisi Rashm mein nahi baithega. Ham bol de rahe hain.

Naina- Buwa ji. Bas Kuchh din ki baat hai Aap se hath jodkar vinti hai ki sab kaam achhe se ho jane dijiye. Koi bakheda mat khada kijiyega.


Naina ji ka ye bolna tha ki buwa ji bhadak gayi aur boli.


Buwa- To Kya hamka isiliye yaha bulaya hai tumne ki hamari beijjati kar sako. Ab tum log itne bade ho gaye ho ki hamari baat katoge. Mahendarwa. Kaha ho tum. Dekho Tohar mehraru ka bol rahi hai. haa nahi to batao jara.


Jab in dono ki batein ho rahi thi to Raghav waha se gujar raha tha. Usne dono logo ki batein sun li. Wo unke paas aakar hath jodte huwe bola.


Raghav- Aap pareshan mat hoiye buwa dadi ji. Aap jaisa chahti hain waisa hi hoga. Ab ham kisi kaam mein aage nahi aayenge.

Buwa ji- Are naspite. Ham tumhari buwa dadi nahi hain. Ham bas Savi bitiya aur Nishu betwa ki buwa dadi hain. To tum hamko buwa dadi mat kahna ab. Haan nahi to balao jara.


Naina ji ne Raghav ka hath pakadkar kuchh bhi bolne se mana kar diya, lekin Raghav unki baat nahi mana aur Bola.


Raghav- Nahi mummy ji. Agar buwa dadi ji ko mujhse pareshani hai to main ab se aage aage koi kaam nahi karunga. Na hi main inhe buwa dadi ji kahunga. Main aapse maffi mangta hoon.


Itna kahkar Raghav Waha se chala gaya. Uski aankho mein aanshu aa gaye the. Naina ji use rukne ke liye aawaz bhi di. lekin Raghav nahi ruka. Naina ji ki aankho mein aanshu aa gaye Raghav ko aise jate dekhkar.


Wo bhi bina kuchh bole Raghav ke pichhe pichhe uske kamre mein chali gayi. jab Naina ji Raghav ke kamre mein pahuchi to Raghav apne kamre main sofe par baitha huwa tha. Uski aankho mein aanshu bah rahe the. Ye dekhkar Naina ji ka dil rone laga. Unhone bhari Aawaz mein Raghav ko pukara.


Naina ji- Raghav beta.


Naina ji ki aawaz sunkar Raghav ne turant apne aanshu pochh liye aur kaha.


Raghav- Mummy ji aap. Aaiye na waha kyon khadi hain.


Naina ji jakar Raghav ke paas sofe par baith gayi aur uske sir par hath firate huwe boli.


Naina ji- Kya baat hai beta. Tu waha se chala kyon aaya. Maine tumhe rukne ke liye aawaz di thi to tu ruka kyon nahi.

Raghav- Kuchh nahi mummy ji. Kuchh kaam yaad aa gaya tha mujhe.

Naina ji- Apni maa se jhooth bolega tu ab. Mujhe pata hai ki tumhe buwa ji ki baat kharab lagi hai. lekin tum to jante ho ki wo aisi hi hain. Unki bato ko jyada dil par mat lagaya kar. Unhe jo bolna hai wo bolne de. Unke bolne se kya hota hai. Teri bahan ki shadi hai to tujhe to sabkuchh aage aage rahkar karna hoga.

Raghav- Nahi mummy ji. Buwa dadi ji bilkul sahi kah rahi hain. Kuchh bhi ho, lekin sach to yahi hai ki main is ghar ka beta nahi hoon. Isliye buwa dadi ji mujhse itni nafrat karti hain.

Naina ji- Bahut maar khayega agar aisi baat tumne dobara ki to. Tum mere bete ho aur hamesha mere bete hi rahoge. Buwa ji ke kahne se hamare Rishta thodi hi badal jayega. Maine hamesha tum-me aur Savi Nishu mein koi fark nahi kiya. To tum aisa kyon bol rahe ho. Agar tumne ye baat apne man mein dobara layi to main tumse kabhi baat nahi karungi.

Raghav- Soryy Mummy ji.


Raghav ki baat sunkar Naina ji ne use gale laga liya. Thodi der gale lagne ke baad Raghav se alag hui aur kamre se jati hui boli.


Naina ji- Ab apni Roni surat sahi kar lo Raghav. Agar Savi ne tumhe is halat mein dekh liya to poora ghar sir par utha legi.


Naina ji itna kahkar kamre se bahar chali gayi. Raghav ne apna munh dhoya. Raghav ka man bahut vichlit ho raha tha to wo ghar se bahar chala gaya. Udhar Manisha Raghav ko porre ghar mein dhoondh rahi thi, lekin Raghav use kahi nahi mila.


Raghav ke bare mein usne Savita se poochha to Use bhi kuchh pata nahi tha. Manisha ne Raghav ko kai phone kiye. Lekin Raghav ne uski call nahi uthayi. Manisha bahut PARESHAN HO GAYI THI. Der raat jab Raghav ghar aaya to Manisha uske kamre mein pahuch gayi aur boli.


Manisha- Kaha gaye the tum. Main tumhe kab se phone kar rahi thi. tumne mera phone kyon nahi uthaya.

Raghav- Ek kaam se gaya tha isliye phone nahi uthaya.

Manisha- Kis kaam se gaye the?? Mujhe bata to sakte the na. main kitni pareshan hokar tumhe paglo ki tarah poore ghar mein dhoondh rahi thi. mujhe pareshan karne mein tumhe maza aata hai na.

Raghav- (kheejhte huwe) nahi batana kuchh bhi. Ab jao yaha se. abhi main bahut pareshan hoon. Mujhe koi baat nahi karni hai tumse.

Manisha- Kya baat hai Raghav??


Manisha ne ye baat Raghav ka hath pakadkar kahi. Raghav ne apna hath Manisha ke hath se chhuda liya aur bola.


Raghav- Koi baat nahi hai. PLZ tum mujhe kuchh wakt ke liye akela chhod do. Mujhe aaram karna hai.


Abhi Manisha Raghav se kuchh kahti isase pahle hi Savita kamre mein aa gayi. usne Aate hi Raghav ko gale laga liya aur rote huwe boli.


Savi- Buwa dadi ji ko jo bolna hai wo bole. Main nahi manti unki baato ko. Tum mere bhai ho aur hamesha mere bhai rahoge. Meri shadi ke sare function mein tum rahoge. Buwa dadi ji chahe rahe ya na rahein.


Savita ki baat Manisha ke samajh mein nahi aayi. Wo dono ko dekhti rahi. Savita ki baat sunkar Raghav ne kaha.


Raghav- Di main to yahi hoon. Aapse kisne kah diya ki main shadi mein shamil nahi rahunga. Main to hamesha aapke sath hoon. Ab aap ye rona band kijiye. Nahi to main bhi rone lagunga.


Ye bolkar Raghav ne Savita ka chehra apne samne kiya aur apne hatho se uske aanshu saaf karne laga. Savita ne Raghav se kaha.


Savita- Tum sahi kah rahe ho na ki tum shadi ke sare function mein rahoge. Kahi buwa dadi ji ki baat ke karan tum chale to nahi jaoge na.

Raghav- Nahi di. main bilkul sahi kah raha hoon. Main aapki shadi ka sara function attend karunga. Aakhir meri eklauti bahan ki shadi hai.


Manisha ko kuchh bhi samajh mein nahi aa raha tha to usne poocha.


Manisha- Kya huwa hai didi??

Savi- Kuchh nahi Manisha.

Manisha- Are yaar mujhe bhi to koi kuchh batao. Jisase poochho wahi kah raha hai ki kuchh nahi.


Ye baat Manisha ne narazagi jatate huwe kahi to Raghav ne kaha.


Raghav- Tumhare kaam ki baat nahi hai ye. Tum jao apne kamre mein.


Raghav ki baat sunkar Manisha ko bahut gussa aaya aur wo badbadati hui apne kamre mein chali gayi.


Manisha- Patan ahi apne aapko kya samajhta hai. kisi baat ka dhang se jawab hi nahi de raha hai. main bhi nahi poochhti kuchh ab.


Manisha ka badbadana Savita ne sun liya. Jab Manisha waha se chali gayi to Savita ne kaha.


Savita- Achha hai isko kuchh nahi bataya. Is toofan mail ko in sabse door hi rakho. Warna aaj ya to buwa dadi bachengi ya fir ye.


Savita ki baat sunkar Raghav hansne laga. Savita bhi Raghav ke sath hansne lagi.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

To aa gayi jali kati bato se china chhalni kar dene wali moti baish jise dayan khana sahi hoga.

Is dayan ki bate jaha jaha se chhukar gujregi vahan vahan itni jalan hogai ki mirchi khud aakar kahega bhai ho rahi jalan me mera koyi hath nehi mujhme itni ksmta nehi ki uss moti bhais roopi dayan ki bato se chhutne wale mirchi ke tej ke barabr mera tej ho.

Dayan ko itna bhi tamij nehi ki kisse kaise bati ki jaye bhudiya ke umr bit gayi lekin akal abhi bhi ghas khane me hi mast hai.

Aare koyi is moti dayan aur bina tol mol ke bolne wali ke juban par tejab dal do na rahegi juban na niklegi kadwi boli.

Haaaa thoda sa dawa hua bhadas nikal gaya bahut dino se dawa kar rakha tha. Mahi Maurya thodi aur kripa kar dena is bua ko ek do aur jandar kisa daal dena to maza aa jayega.

Ek anath bacha jisse sabhi pyaar karte hai. Vo bhi sabhi ko utna hi pyaar wapas deta hai. Ye us dayan ko nehi dikh raha hai dikh raha hai to bas khoon ka rishta par is dyaan ko kaun samjhay kabhi kabhi khoon bhi daga de jata hai. Aur ek paraya vo kar jata hai jiski kisi ko ummid hi nehi hota.

Adbhut atulniya lekhan kaushal:clapclap::clapclap::clapclap:
 
Will Change With Time
Moderator
9,387
17,218
143
UPDATE- 81


Subah se ghar mein badi chahal-pahal thi. Aaj haldi ki rashm thi. haldi ki Rashm ke liye poora ghar phoolo se sajaya gaya tha. Phulo ki manmohak Khushbu se poora ghar mahak utha tha. Subah se hi ghar mein chahal pahal thi. Buwa ji ki tez tarrar aawaz ne is chahal pahal ko aur tez kar diya.


Buwa ji- Bahuriya. Ladke walon ki taraf se haldi aa gayi ki nahi abhi. Haan nahi to batao jara.

Naina ji- Nahi Buwa ji. Abhi tak to nahi aayi hai.

Buwa ji- Haan nahi to batao jara. Itni der ho gayi hai aur abhi tak haldi nahi aayi. Jab haldi aa jayegi tabhi to Aage ka kaam shuru hoga.

Mahendarwa. Kahi aise waise ghar mein to shadi nahi kara raha hai hamari Savi bitiya ki. Ham to Sagai mein aaye nahi the nahi to usi samay sari khoj bin kar lete ladke walon ke bare mein.

Mahendra ji- Sab log bahut Achhe hain Buwa ji. Aur sabse badi baat Savi ko bhi ladka bahut pasand hai to hame aur kya chahiye. Jab tak haldi nahi aa jati tab taka aap apni pooja kar lijiye.

Buwa ji- Haan. Savi ki akele pasand se kya hota hai. ghar walo ko bhi to pasand aana chahiye. Haan nahi to batao jara. Aur Ei Nishuwa Bhi pata nahi kahan mar gaya hai. Koi apni bahan ki shadi mein is tarah mehmaan banker aata hai kya.

Jise mehman ban kar aana chAHIYE wo to kai din pahle hi aakar ghar mein kabja jamaye baithe huwe hain. Haan nahi to batao jara.


Buwa ji ki baat ka matlab sabhi samajh rahe the ki unka ishara kiski taraf hain fir bhi koi aaj ke din bakheda nahi khada karna chahta tha, isliye kisi ne buwa ji ko koi jawab nahi diya. buwa ji ne aage kaha.


Buwa ji- Mahendarwa. Ham tohre se kitni baar bole the ki Nishuwa ko Naukri mat karne do. Aakhir itne bade ghar ka hokar uu piddi si naukari kar raha hai. lekin hamri baat manta hi kaun hai. haan nahi to batao jara. Ham kuchho galat bol rahe hain. Dekho to abhi tak apni bahan ki shadi mein nahi pahucha. Upar se us naaspite se sara shubh kaam karwa rahe hain.


Buwa ji ki baat Mahendra ji aur Naina ji dono ko kharab lagi lekin unhone is bare mein kuchh nahi kaha. Naina ji ne baat ko badalte huwe kaha.


Naina ji- Are buwa ji aap kyon pareshan ho rahi hain. Nishu se baat ho gayi hai. wah samay se aa jayega. Aap apna BP mat badhaiye.


Thodi der baad ladke walon ki taraf se haldi aa gayi. ab wahi haldi Savita ko lagni thi. Savita Haldi wale din bahut achhe se taiyar hui thi. Savita ne pile aur laal rang ki kinari wali sadi pahni hui thi. Jisme phoolo ki kadhai ki gayi thi jo sadi ki Shobha badha rahe the.


Usne apne balo ka juda banaya huwa tha. Jisme se aage ke kuchh baal usne khule chhod rakhe the jo uske galo ko chumkar uski chundarta aur bhi badha rahe the. Savita is Sringar mein bahut hi pyari lag rahi thi. Manisha ne pile rang ka top aur nile rang ki jeanse pahan rakhi thi . usne bhi apne balo ko khula chhoda huwa tha.


Manisha ne kanon mein chhote chhote bunde dale huwe the. Sarita ne pile rang ka frock shoot pahna huwa tha aur balo ko half cluch kiya tha. Mathe par chhoti si kali bindi aur kanon mein jhumke. Kul milakar tino bahut pyari lag rahi thi.


Raghav ne Gahre pile rang ka kurta payjama pahna huwa tha. Lekin wo Apne kamre mein baitha huwa tha. Is tarah ghar ke har sadasya ne pile rang ka hi paridhan pahna huwa tha. Savita Taiyar hokar naina ji ke paas gayi aur boli.


Savi- Mummy Raghav kaha hai dikhayi nahi de raha hai.


Naina ji nahi chahti thi ki abhi koi bakheda khada ho isliye unhone jhooth bol diya.


Naina ji- Tere papa ne use kisi kaam se bahar bheja huwa hai.

Savi- (Sandeh prakat karte huwe) Pakka na.


Savita ki baat sunkar Naina ji ne haa mein apni gardan hiila di aur Savita ke sir par apna hath pher diya. Uske baad Function ki taiyari hone lagi. Savita jakar pidhe par baith gayi. Sabhi use haldi lagane lage. Savita ne bhi thodi masti karte huwe Sarita ke gallon par haldi laga di. Sarita us haldi ko pochhne lagi to Rishte mein Bhabhi lagne wali ek aurat ne kaha.


Bhabhi- Are Is haldi ko itni jaldi saaf mat karo. Apsakun hota hai.


Bhabhi ki baat sunkar Sarita ne haldi ko aise hi laga rahne diya. idhar Manisha ki najar lagatar Raghav ko hi khoj rahi thi. jab Raghav use kahi bhi najar nahi aaya to Wo Rahgav ke kamre mein gayi to wo apne kamre mein baitha huwa tha. Manisha ne kaha.


Manisha- Tum yaha kya kar rahe ho??

Raghav- Bas aise hi baitha huwa hoon.

Manisha- Niche didi ka haldi ka function chal raha hai aur tum yaha baithe huwe ho. chalo niche.

RAghav- Nahi mujhe halti se alarji hai.

Manisha- Achha. Ab tum mujhse bhi jhooth bolne lage. Mujhse jhooth mat bolo varna achha nahi hoga.

Raghav- Varna kya karogi.


Abhi Raghav ne itna hi kaha tha ki usne apne hath mein lagi hui haldi Ragahv ke galo par laga di aur boli.


Manisha- Varna main ye karungi.


Abhi Raghav Use pakadne ke liye kuchh karta usase pahle hi Manisha kamre se bhag gayi. Use jate dekh Raghav ne muskurate huwe kaha.


Ragahv- Pagal ladki.


Idhar Sarita ko Rishte ki sabhi bhabhiya chhed rahi thi ki Savita ke baad Agla number Sarita ka hi hai. Jisase Sarita pareshan bhi ho jati thi aur sharma bhi jati thi.


Rishte ki ek chachi ki beti ne Sarita ke gaal par aur haldi laga di to Sarita use haldi lagane ke liye daud padi. duadte duadte wo ladki achanak mud gayi. Jiske karan Sarita Samne se aa rahe ek ladke se takra gayi. jiske karan Sarita ke hath mein lagi haldi us ladke ke shirt par lag gayi.


Haldi Sirf thodi si Uski shart par lagi thi. Sarita ke hath ki poori chap us ladke ke shart par nahi aayi thi. Sarita ne jhatke se bagal hote huwe usase kaha.


Sarita- Sorry maine dhyan nahi diya.


Lekin wo ladka Sarita ki khoobsurti mein kho gaya. Wo bina koi jawab diya ektak Sarita ko dekhne laga. Sarita ko ye bilkul bhi achha nahi laga. Isliye wo waha se chali gayi. Tabhi buwa ji waha par aa gayi aur us ladke ko dekhkar boli.


Buwa ji. Are Ramesh betva. Tum aa gaye.


Ladke ne aage badhkar Buwa ji, Mahendre ji, Naina ji aur Anya bado ke pair chuwa aur bola.


Ladka- Haan Dadi main aa gaya.



(Mitro aur Pathko. Ramesh ka is kahani mein jyada kuchh khas Bhumika nahi hai isliye uska details mein parichay nahi de rahi hoon. Ramesh Buwa ji ka pota hai. Ramesh ka Asli naam Armesh hai, lekin buwa ji use Ramesh kahti hain. Wo Use Armesh ki jagah Ramesh kyon kahti hai ye aapko aage pata chal jayega)


Naina ji- Armesh beta. Bilkul sahi samay par aaye ho tum.

Savi- (Armesh ko dant-te huwe) Kya jaroorat thi abhi aane ki. Shadi ho jane dete tab aate.


Armesh ne Savita ko pyaar se puchkarte huwe kaha.


Armesh- Are meri pyaari didi. Maaf kar dijiye mujhe is deri ke liye. Jo bhi saza aapko deni ho wo de dijiye.

Savi- (use gale lagakar) Apne bhaai ko main kyon saza dungi.

Armesh- Kya main didi ko haldi laga sakta hoon??

Buwa ji- Haan Kyon nahi. Aakhir bahan hai wo tumhari to lagaoge kyon nahi. Haan nahi to batao jara..


Armesh ne haldi apne hatho mein lagayi aur use shararat karte huwe Savita ke naak par laga di. Savita ne use aankh dikhayi to Armesh ne kaha.


Armesh- Sorry didi. Ab Achhe se lagaunga.


Haldi ki Rasham chal rahi thi. Tabhi Manisha aakar Savi ke paas baith gayi aur USke kano mein kuchh kaha. Savita ne pahle to na nukur ki fir Sharma kar apna Sir niche jhuka liya. Ye dekhkar buwa ji ne apna munh folate huwe kaha.


Buwa ji- Aise kya baat hai jo tum dono khusar fusar kar rahi ho. haan nahi to batao jara.

Manisha- Buwa Dadi ji. Ye ham jawan logo ki baat hai Aap nahi samjhengi.

Buwa ji- (tunak kar) To ham kaun sa budhe ho gaye hain. Haan nahi to batao jara.

Manisha- (Shararat se) Buwa dadi ji. Lagta hai Aap meri baat ka matlab nahi samajh payi. Main ye bol rahi hoon ki Abhi to aapka bachpna chal raha hai. Abhi aapko jawan hone mein samay lagega.


Manisha ka itna bolna tha ki Aas-paas baithi chachi-bhabhi apne anchal mein munh dabakar hansne lagi. Buwa ji ne bhi abhi kuchh bolna sahi nahi samjha, lekin unhone Manisha ko ghoorne mein koi kasar nahi chhodi.


Savita ne Ek mulajim se Raghav ko bulwaya, lekin wo nahi aaya to Savita ne Manisha ko Raghav ko bulane ke liye bheja. Manisha Raghav ke kamre mein jakar chillate huwe boli.


Manisha- Kya hai. tum itna bhaav kyon kha rahe ho. chalo bahar didi bula rahi hain tumhe.


Lekin Raghav bahar chalne ke bajay Manisha ka hath pakad liya to Manisha ne use aankh dikhate huwe kaha.


Manisha- hath pakadne ke liye nahi kaha maine. Bahar chalne ke liye kaha hai.


Raghav ne Manisha ki baat ka koi jawab nahi diya aur use apne kareeb kheechte huwe kaha.


Raghav- Tabhi haldi lagakar bhag gayi thi na to ab main tumhe haldi lagaunga.

Manisha- (hanste huwe) kaise lagaoge. Haldi to yahan hai hi nahi.

Raghav- (muskurakar) Uski chinta tum mat karo main manage kar lunga.


Itna kahkar Raghav ne Manisha ka chehra pakda aur apna gal uske gal se lagakar ragadne aga. Raghav ki is harkat se Manisha ke poore badan mein sihran si daud gayi aur usne apni aankhe band kar li. Thodi der dono isi position mein rahe.


Manisha ko jab apni sthiti ka dhyan aaya to wo jhat se Raghav se door hokar khadi ho gayi. Raghav Use dekhkar muskura raha tha aur Manisha Apna Sir niche kiye huwe khadi thi. Thodi der baad jab Manisha normal hui to usne kaha.


Manisha- Agar tumhare man ka ho gaya ho to bahar chale. Didi intezar kar rahi hongi.

Raghav- Main nahi chalunga.

Manisha- Thik hai fir. Mujhse baat mat karna ab.

Raghav- Ye kya baat hui bhala.

Manisha- Yahi baat hui. Agar bahar nahi chaloge to mujhse baat bhi mat karna.

Raghav- Ye to galat hai.

Manisha- Kuchh bhi galat nahi hai. jitna apne man ka karna hai kar lo, lekin mujhse baat karne ki koshish mat karna ab.


Itna kahkar Manisha uske kamre se bahar nikal gayi. Wo Savita ke paas pahuch kar jaise hi usko batane wali hui ki Raghav aane se mana kar raha hai. uske pahle hi Savita ne kaha.


Savi- Raghav. Tum aa gaye.


Savita ki baat sunkar Manisha ne pichhe mudkar dekha to Raghav khada tha. Raghav ne Aage badhkar apne hath mein haldi li aur Savita ko haldi laga di. Ye dekhkar Buwa ji Aag babula ho gayi aur boli.


Buwa ji- Ab chalo. Jaldi se nahlao Savi bitiya ko. Sara gud gobar kar diya is naas pite ne. haan nahi to batao jara. Mahendarwa tum hamari baat kyon nahi sunte. Maine pahle hi bol diya tha ki is naaspite ko kisi bhi shubh kaam mein shamil mat karna, lekin hamri sunta hi kaun hai.


Buwa ji ki baat sunkar Savita ruwansi ho gahyi aur unke samne hath jod liya aur kaha.


Savi- Buwa dadi ji. Bhagwan ke liye mere bhai ko aur kuchh mat boliye.


Manisha ko bhi Buwa ji ki baat bahut kharab lagi. Usne Raghav ki taraf dekha jo bas Savita ko dekhkar muskura raha tha. Fir wo waha se apne kamre mein chala gaya. Manisha bhi uske pichhe jana chahti thi, lekin Sabhi ki najar Abhi usi taraf thi jis taraf Raghav gaya tha. Isliye usne Ragahv ke pichhe jana uchit nahi samjha.


Manisha Savita ke paas hi baith gayi. Savita ki aankhe bhar aayi thi. Manisha Savita ko dilasha dene lagi aur uska hath pakad liya.


Tabhi Samne se Nishchal aata huwa dikhayi diya. jise dekhkar Manisha Chahakate huwe boli.


Manisha- Boss Aap aa gaye.


Savita bhi Nishchal ko dekhkar bahut khush hui. Nishchal ko dekhkar buwa ji ne kaha.


Buwa ji- Ye kya betwa?? Aisi bhi naukari karne ka kya fayda jab apni hi bahan ki shadi mein mehman ki tarah aana pade. Haan nahi to batao jara.


Nishchal ne Aage badhkar Buwa ji ke pair chhuwe aur kaha.


Nishchal- Ab Kya kare buwa dadi ji. Meri duty hi aisi hai. meri duty hi meri pahli prathmikta hai baki sab iske baad aata hai. Kitni mushkil se aaj chhutti lekar aaya hoon nahi to kal aana padta. Bahut kaam hai mere kandho par.

Buwa ji- Jo bhi ho. par ek baat to hai ki tumhe apni bahan ki koi parwah nahi hai. tumse achha to hamara Rameshwa hai jo tumse pahle hi aai gawa hai.


Buwa ji ki baat ka Nishchal ne koi jawab nahi diya aur Savita ke paas aate huwe kaha.


Nishchal- maine kaha tha na di ki ek bhi Rashm miss nahi karunga. Aur dekho bilkul sahi samay par aa gaya.


Nishchal ki baat sunkar Savita ne uske sir par hath fer diya. Nishchal ne kaha.


Nishchal- Mujhe bhi haldi lagani hai kya??


Nishchal ki baat sunkar Rishte ki ek Bhabhi ne kaha.


bhabhi- Tumhe bhi lagwani hai kya??

Nishchal- Kash aisa mauka mil jaye.

Bhabhi- Tumhe bhi lag jayegi Haldi. Itne utawale kyon ho rahe ho. pahle devrani ji ko to pasand kar lo.


Bhabhi ki baat sunkar Nishchal ne Apni ungli Style se apne balo par firate huwe kaha.


Nishchal- maine to pasand kar li hai Bhabhi. Lekin use hi main pasand nahi.


Bhabhi- Are aisi kaun si hoor ki pari hai jisne mere dewar ji ko na bolkar unka dil tod diya.

Nishchal- Mana to nahi kiya usne Bhabhi, lekin mujhe lagta hai aisa.

Bhabhi- Are hame bhi to bataiye kaun hai wo. Ham hi tumhari madad kar dete hain use haan bulwane mein.

Nishchal- Hai koi. Ab kuchh batein personal hi rahne dijiye Bhabhi. Waise main to di ko haldi lagane ki baat kar raha tha.

Bhabhi- ham khoob tumhare paitare samajh rahe hain dever ji. Waise Savi ko lagne wali haldi apni hone wali ko bhi laga do. Tumhara kaam bhi ban jayega.

Nishchal- Kya sach mein Bhabhi. Aise bhi hota hai kya??

Bhabhi- 100 % hota hai dewer ji.


Bhabhi ki baat sunkar Nishchal bas muskurakar rah gaya aur idhar udhar dekhne laga. Sarita use kahi najar nahi aayi to wo man hi man bola.


Nishchal- ye lady don kahi dikhayi nahi de rahi hain. Kahi so to nahi rahi hai. Are nahi abhi thodi hi soyegi, fir kya kar rahi hai. chhote miya to yahi par hain. Bade miya ko dhoondhna padega.


Nishchal apni soch mein hi dooba huwa tha ki tabhi Savita ne kaha.


Savi- Kya baat hai Nishu. Kis soch mein dooba huwa hai.

Nishchal- Kuchh nahi di. Sarita ko dhoondh raha tha.

Savi- Badi jaldi hai usase milne ki.

Nishchal- Di ab aap to meri khichayi mat karo.


Nishchal ki baat sunkar Savita muskurane lagi. Nishchal ne Savita ko haldi lagayi aur apne kamre mein chala gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..

Ye bua moti bhaisiya phir se apni thiki choch bich me gusa diya. Kya jarurat thi aisi kulakshani ko shadi jaise shubh kamo me bulane hi jiske man me sirf aur sirf bhed bhav ho.

Acha khasa raghav akar behan ko haldi laga raha tha par hua kiya vohi jhali kati bate.

Manisha ne bilkul sahi jabab diya abhi bhi bachi hai. Jab khud ko bola gaya to bura lag gaya.:clapclap::clapclap::clapclap:
 
दिल से दिल तक
Councillor
2,557
5,834
143
UPDATE- 84


Naina ji ke kahne par Sarita khana khane chali gayi. khana khane ke baad jab Sarita wapas aayi to mehandi wali ne use pakad liya aur use apna hath aage karne ke liye kaha. Sarita wahi pilar ke sahare tak lagakar baith gayi aur apna hath aage kar diya. Mehandi wali ne use mehandi lagana shuru kar diya.


Ab tak sabhi log khana khane ke liye chale gaye the. Raghav ne Savita ko bhi khana khila diya tha. Aangan mein is samay bas Sarita aur mehandi wali hi baithi thi. Mehandi wali Sarita se baat karte huwe use mehandi laga rahi thi. thakan ke karan Sarita ko jhapki aane lagi aur uski aankh band ho gayi.


Tabhi kisi kaam se Nishchal udhar se gujra to uski najar Sarita par thahar gayi. Usne dekha ki Sarita Nishchint hokar so rahi hai. uske hatho mein mehandi lag chuki hai aur mehandi wali waha se jane wali hai to Nishchal ne uske kaan mein kuchh kaha to wo fir se Sarita ke paas baith gayi aur uska hath pakadkar dobara mehandi lagane lagi.


Thodi der mein Nishchal waha se chala gaya. Mehandi wali bhi waha se chali gayi. Naina ji ne Sarita ko jagaya aur kamre mein jane ke liye kaha. Sairta kisi tarah apne kamre mein pahuchi aur nidhal hokar apne bister par so gayi.


Agle din jab Sarita ki aankh khuli aur usne apne hatho mein dekha to wah chaunk gayi. Manisha bhi usi samay sokar uthi thi. Sarita ko aise chukte huwe dekhkar Manisha ne Sarita se poochha.


Manisha- Kya huwa didiya. Aap aise chaunk kyon gayi. Koi baat hai kya didiya. Aap apne hath ko aise kyon ghoor rahi hain??


Manisha ki baat sunkar Sarita ne apna hath uske aage kar diya. Uski hatheli dekhkar Manisha ne bhi apni hatheli uski hatheli ke paas rakh di. dono ke mehandi ka rang gahra Chadha huwa tha. Manisha ne kaha.


Manisha- Kya huwa didiya. Jaise tumhari mehandi chadhi hai waisi hi meri mehandi chadi hai.

Sarita- (hanth dekhte huwe) Lekin meri mehandi kabhi bhi itni gahari nahi chadhti hai. fir is baar ye itni gahri kaise chadh gayi hai??

Manisha- Isbaar isliye aisa huwa hai didiya kyonki tum mehandi jaldi lagati nahi ho aur agar lagati bhi ho to 10 minute se jyada tumhare hatho mein mehandi rahti nahi hai.

Aaj pahli baar tumhare hatho mein mehandi raat bhar rahi hai isliye iska rang chatak ho gaya hai. ab isme itna chaukne ki kya baat hai didiya. Ye to achha hi hai na ki ham dono ki mehandi ka rang chatak ho gaya hai.

Sarita- Haan wo pahli baar aisa huwa isliye main chaunk gayi.

Manisha- Aapna hath idhar kijiye mujhe mehandi ki design dekhni hai.

Sarita- (apna hath Manisha ke hath mein dete huwe) ye lo.

Manisha- Thikk hi hai par meri design se achhi aapki design nahi hai.

Sarita- To tumhe mehandi lagayi kisne hai ye bhi to dekho.

Manisha- Meri didiya ne.

Sarita- Achha chalo ab jaldi se utho. Aaj sangeet bhi hai. bahut sari taiyariyan bhi to karni hain sangeet ki.


Sarita ki baat sunkar Manisha ne apne hath ko apne hi sir par marte huwe kaha.


Manisha- Are haan.. mujhe to yaad hi nahi raha. Mujhe to ek kaam aur bhi karna hai.

Sarita- (use ghoorkar) Dekho Manisha is baar pichhli baar ki tarah kuchh bhi ulta siddha mat karna. Nahi to bahut marungi tumhe main.

Manisha- (acting karte huwe) Tumhe apni bahan par jara bhi bharosha nahi hai. Kya tumhe lagta hai ki tumhari bahan koi ulta siddha kaam kar sakti hai. Batao didiya. Kya tumhe aisa lagta hai.

Sarita- Mujhe lagta nahi hai. balki main 100% Sure hoon ki tumhare dimag mein kuchh na kuchh khurafaat chal rahi hai.

Manisha- (acting jari rakhte huwe) Nahiiii. Ye sun-ne se pahle main bahri kyon nahi ho gayi bhagwan. Ye kaisa ghor kalyug aa gaya hai. Ek bahan ko apni bahan par bharosha nahi raha. Kya hoga tumhare is sansar ka bhagwan.


Manisha ki baat sunkar Sarita ne uske sir par chapat lagate huwe kaha.


Sarita- Bas kar. Ab band kar apni nautanki. Nahi to ek lagaungi aur tu satyug mein pahuch jayegi.


Sarita ki baat sunkar Manisha uthkar waha se chali gayi. Jate jate wo apne man mein sochne lagi.


Manisha- Ab Aapka kya hoga buwa dadi ji. Aaj main aapki bolti na band kar di to mera naam Manisha urf chhote miya nahi. Bas dekhti jaiye aap.


Manisha ke jane ke baad Sarita bhi fresh hone ke liye chali gayi. thodi hi der mein dono fresh hokar bahar aa gayi. Sangeet ka karyakram dono pariwaro ka ek hi sath hone ka decide huwa tha, Anant ke papa ke kahne par ye karyakaram ghar mein na karke ghar ke paas ke hi bane huwe ek guest house mein iski vyavastha ki gayi thi.


Karyakram sanchalan ki sari jimmedari Manisha ne apne kandhe par le li thi. Sangeet ke karyakram mein kab kya kaisa karna hai ye Manisha ko dekhna tha. Sarita isko lekar bahut chintit thi. use lagta tha ki Manisha ye jimmedari thik dhang se nahi nibha payegi to usne Manisha se kaha.


Sarita- Manisha. Tumhe lagta hai ki tum Sangeet ki sari jimmedari achhe se nibha paogi.

Manisha- Haan. Main kar lungi sab.

Sarita- meri mano to anchoring ki jimmedari kisi aur ko de do. Isase tumhara workload kam ho jayega.

Manisha- Don't worry didiya. Main sab achhe se handle kar lungi. Aap bas mere dance ke baad ka sambhal lena.

Sarita- Thik hai main dekh lungi.


Sangeet ki function hone ke karan subah se hi bhagdaud machi hui thi. koi apni dersh ke liye bhagdaud kar raha tha to koi makeup ke liye bhagdaud kar raha tha. To kuchh log aise the jo dance ki rehearsal kar rahe the to koi kisi aur kaam se daud dhoop kar raha tha.


Manisha pahle hi haal ke liye nikal gayi thi kyonki Dance ki organizer wahi thi to ladke walo ke sath bhi coordination fit karna tha. Raghav bhi Manisha ke sath gaya huwa tha. Hall mein pahuchne ke baad Raghav ne Manisha ka hath pakda aur use ek kone mein le gaya. Manisha ne gussa dikhate huwe kaha.


Manisha- Kya kar rahe ho. mujhe yaha par kyon laye ho. mere paas abhi samay nahi hai kuchh bhi dekhne ka. Chhodo mujhe.


Manisha ki baat sunkar Raghav ne uske munh par ungli rakhkar use shant karwate huwe kahta hai.


Raghav- ssssshhhhhhhhhhhhh. Kitna jyada bak bak karti ho tum. Pahle meri baat to suno.


Itna kahkar Raghav ne Manisha ke aankho ke kono se thoda sa kajal lekar uske kano ke pichhe laga diya. Manisha ne usase aankho ke ishare se poochha ki ye sab kya hai to Raghav ne kaha.


Raghav- Tum itni khoobsurat lag rahi ho aaj ki tumhe meri najar na lag jaye. Isliye kajal lagaya hai tumhe.

Manisha- Apno ki najar kabhi nahi lagti. Thanky you. Aaj tumne mujhe ekdam mummy ki tarah kajal ka kala tika lagaya hai. Jab bhi main aur didiya kahi taiyar hokar jate hain to wo aisa hi karti hain. Tum na ekdam meri mummy ki tarah meri care karte ho.

Raghav- To Kya tum ab mujhe apni mummy banaogi kya.

Manisha- Chal hat pagal.

Raghav- Achhai ji. Main to hamesha tumhari care karunga. Har janam mein tumari care karunga. Har kadam par tumhara sath nibhaunga.

Manisha- Achha- Wo bhala kyon.

Raghav- Bas aise hi. Mujhe tumhare sath rahna, tumhari care karna bahut achha lagta hai.


Itna bolkar Raghav ne Manisha ke mathe ko chuma aur waha se chala gaya. Manisha ke gal sharm se tamatar ki tarah lal ho gaye. Manisha kuchh der tak wahi khadi hui Abhi jo kuchh bhi huwa tha wah sochkar muskura rahi thi.


Udhar ghar par Sarita taiyar hokar idhar udhar ghoom rahi thi. wo ghar ke chhote se choote kaam ko kar rahi thi. Ghar ke lagbhag Sabhi Sadasya hall mein chale gaye the. Naina ji udhar se gujar rahi thi to unhone Sarita ko kaam karte huwe dekha. ye dekhkar Naina ji Sarita ke paas gayi aur kaha.


Naina ji- Sarita beta. Tum abhi tak hall mein nahi gayi.

Sarita- Ji Aunty ji. Bas nikal hi rahi hoon thodi der baad. Kuchh kaam tha kya.

Naina ji- Kuchh kaam to nahi tha. Par tum jaogi kaise sabhi log to chale gaye hain yaha se.

Sarita- Main aapke sath hi chali chalungi.

Naina ji- Beta abhi mujhe hall mein chalne mein samay lagega. Abhi main pooja karungi uske baad hi waha par jaungi. Ruko main dekhti hoon. Kisi ko bhejti hoon tumhare sath .

Sarita- Thik hai Aunty ji.


Naina ji ye bolkar Sarita ko haal tak pahuchane ke liye kisi ko dhoondhne lagi. Tabhi Nishchal waha se gujra. Jo abhi tak hall mein nahi gaya tha. Use dekhkar Naina ji ne kaha.


Naina ji- Nishu beta. Jara sun-na.

Nishchal- Haan mummy ji.

Naina ji- Beta. Sabhi hall mein chale gaye hain, lekin Sarita bitiya abhi tak yahin par hai. tum aisa karo isako hall tak chhod do. Uske baad mujhe lekar chalna.


Nishchal ye sunkar bahut khush huwa ki use Sarita ke sath kuchh pal akele spend karne ka mauka mil raha hai to wo bhala aise mauke ko kyon hath se jane deta. Isliye usne kaha.


Nishchal- Chaliye Sarita ji.


Sarita ne bhi jyada na nukur na karte huwe nishchal ke sath ghar se bahar aa gayi. Nishchal jakar driving sheet par baith gaya. Sarita bhi car mein baith gayi. Nishchal ne car aage badha di. Aaj Nishchal Sarita ke chehre ko nahi baar baar Uske hatho ko dekh raha tha. Sarita ne bhi kai baar Nishchal ko aisa karte huwe dekha to usne poocha.


Sarita- Kyaa huwa. Aap baar baar mere hath ko aise kyon dekh rahe hain. Kuchh laga hai kya mere hath mein.

Nishchal- Kuchh nahi. Main to bas tumhari mehandi ka colour dekh raha tha.

Sarita- Achha. Ye baat hai.. mujhe pahli baar itni gahri mehandi chadhi hai.


Itna kahkar Sarita ne apni hatheli nishchal ke samne kar di. Nishchal uski hatheli dekhkar muskurane laga. Ye dekhkar Sarita ne usase poochha.


Sarita- Kya huwa aap muskura kyon rahe hain??

Nishchal- Kuchh nahi. Kuchhh purani baate yaad aa gayi thi.
(fir man mein) Kitna achha lag raha hai mera naam tumhari hatheli par. Mujhe nahi pata tha ki mera naam likh dene par tumhari mehandi itni gahari chadhegi.

Mere naam ki mehandi aakhirkar tumhari hatheli par lag hi gayi. tumhe to ehsas hi nahi hai ki mera naam tumhare hatho par likha hai lekin tum use dhoondh nahi paogi. Ye to sirf main hi dekh pa raha hoon. Us ladki ne mera nam itni safai aur bariki se likha hai ki kisi ko pata hi nahi chalega ki mera naam likha hai tumhari hatheli par.


Wahi car mein FM Redio par ek gana baj raha tha jo us setuation ko bahut shut kar raha tha.


Dil ye mera tumse kuchh kah raha hai suno na.

Dil ne tumko chun liya hai tum bhi isko chuno na.

Khwab koi dekhte hoon main tum bhi sapne buno na.

Tum bhi mujhko chuno naa.


Gane ke bich bich mein Nishchal mudkar Sarita ki taraf dekh leta tha, lekin Sarita in sabse se bekhabar khidki se bahar dekh rahi thi. aise hi thodi der mein hall aa gaya.


Sarita jab utarne lagi to usne dhyan nahi diya. sheetbelt mein uske blouse ki dori fansi hui thi. jab Sarita car se utarne lagi to khichav ke karan uske blouse ki dori khul gayi. Sarita ko jab ye ehsah huwa to wo turant wapas apni sheet par baith gayi.


Doosri taraf se Nishchal car se utar gaya tha. Use Sarita ki setuation ke bare mein bilkul bhi andaza nahi tha. Wah bahar aakar doosri taraf ka dor kholkar Sarita ko utarne ke liye kahne laga, lekin Sarita apni sheet par jami rahi to Nishchal ne kaha.


Nishchal- Hall aa gaya hai ab niche utar jao.

Sarita- (dhire se) woo…..wooo….

Nishchal- Are kyaa huwa tumhe. Itna dar kyon rahi ho.

Sarita- Wo… wo… ek problems ho gayi hai.

Nishchal- Are. Jisko dekhkar sari problem bhag jati hai usko kya problem ho gayi.

Sarirta- Mazak mat kariye Sir. I am serious.


Ye sunkar Nishchal turant uske paas aaya aur bola.


Nishchal- kya huwa??


Ab Sarita Nishchal se kaise kahe ki uske blouse ki dori khul gayi hai. wo Nishchal se bolne mein sakuchane lagi to Nishchal ne uska hath pakadkar usase kaha.


Nishchal- Kya baat hai batao mujhe.

Sarita- Manisha ko ya Bhabhi ko kisi ko bhi bula dijiye. Urgent hai.

Nishchal- Ab tumhe utarne ke liye Manisha aur Bhabhi ko bulane ki kya jaroorat hai. main utarta hoon na tumhe.

Sarita- Plzz.

Nishchal- Achha Achha thik hai main bulata hoon kisi ko tum yahi raho.


Nishchal ne abhi itna hi kaha tha ki Tabhi Sarita ka mobile bajne laga. Sarita ne dekha to call Manisha ka tha. Sarita ne call uthaya to Manisha ne kaha.


Manisha- Kaha ho didiya. Aur kitni der lagaogi aane mein. Main kab se aapka intezar kar rahi hoon.

Sarita- Manisha. Main yahi hoon hall ki parking mein/ Tum jaldi se bahar aa jao gadi ke paas. Meri blouse ki dori khul gayi hai.

Manisha- Thik hai didiya main aa rahi hoon.


Udhar Nishchal manisha ka phone try kar raha tha, lekin uska phone vyast aa raha tha to wo phone try karte karte haal ki taraf chala jata hai. jab wo Manisha ke paas pahucha to Manisha ko ek shararat sujhi aur usne kaam ka bahana banakar Nishchal ke sath chalne se mana kar diya aur Bhabhi ko bhi usne nahi jane diya. Manisha ki baat sunkar Nishchal wapas Sarita ke paas aa gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
 

Top