Romance Ajnabi hamsafar rishton ka gatbandhan

Will Change With Time
Moderator
10,100
17,421
143
Update 66


Raj Mahal me aaye huye aatithio ka bhavy swagat kiya gaya, hona bhi chaiye tha akhir ve raj mahal ke ek matar bahu kamla ke mata pita aur shakhaye (friends) the. Unke aane se mahal me kuch pal atyant bhaubk raha to kuch pal hasyspaad raha.


Raj mahal me padhaar chuke aatithio ki suchna, pahle hi surbhi parivar ke any sadasyo ko de diya tha saath hi ek chetavni ki “ ratri bhojan me parivar ke prteyak sadasy ko upasthit rahna hai. Agaar jaruri kaam hua to usse tal diya jaye. Agaar aisa nahi hua aur aatithio ke samne uski naak ko thodi si bhi aach aayi to un sabhi ki rakhsha swaym maa chandi bhi nahi kar payegi.” Itni bhayankar chetvni diya jaye aur vaha kaam pura na ho aisa bhala ho sakta hai.


Ratri bhojan se pahle mahal ke sabhi sadasy mahal pahuch chuke the lekin un sabhi se jaydaa mahtvpurn shaksh raman tha jise pushpa ne khud call kiya tha. Mahasy jaldi padhar chukhe the aur pushpa maharani ke piche ek chatukar ki tarh pad gaya lekin pushpa maharani to thahri maharani jara bhi nahi pighli yahan tak ki raman ko jaane hi nahi diya ki shalu Mahal me hai kyuki pushpa ne maa aur bhabhi ki sahyta se sabhi ko manva liya ki vo abhi shalu aur chanchal ke aane ki suchna kisi ko na de halaki Surbhi ko pata tha karan kya ho sakta hai lekin kamla un baato ko nahi janti thi. To puchne pe pushpa ne apni vahi purani ghisipiti dailog suna diya “mai maharani pushpa hoon aur maharani ki aagya na manna matalab saja ka patr banna.”


Ab kaun bhala maharani ki saja bhugtna chahegi aur kamla to bilkul nahi lekin surbhi aad gayi ki maharani ho chahe koyi bhi uski ek matr bahu ko koyi saja nahi de sakti hai. Pushpa apni baat pe aur surbhi apni baat pe adi rahi aur kamla dono maa beti ki bhav bhangima se kabhi hase to kabhi bhavok ho jaye antah kamla dono ke bich me aayi aur boli “nanad rani apki ek ek baat ka sa’akshaar palan kiya jayega lekin meri ek sarth hai tumhe vahan karan batana hoga jiske liye tum shalu aur chanchal ko chupa rahi ho.”


Mahal ke sabhi sadasyo me ek matr pushpa hi thi jo apni adakarita aur bato se sabhi se apni bate manva leti thi. Is samay bhi usne apni adakari aur baato ke jaal me kamla ko aise pasaya ki kamla maan gayi.


Barhaal Mahal ke ek ek sadasy ke aane ke baad sabhi ne manorma aur mahesh se aupcharik bato ke baad apne-apne kamre me chale gaye aur jab raghu aaya to use dekh’kar raman ko ek aash jagi ki vo uski kuch sahayta kar sakta hai lekin usne bhi raman ko jydaa bhav hi nahi diya. Bas sas sasur se kuch bate kiya aur apne kamre me chala gaya yah dekh raman man hi man bola “bahan to pahle se hi nishthur bani baithi hai aur bhai jaisa dost bhi bhav nahi de raha hai lekin mai bhi raman hoon aabhi use thok peet ke sidha karta hoon.” itna bolkar raman bhi raghu ke piche piche chal diya aur pushpa yahan dekhkar pehle to muh chhupaye hasa phir man hi man boli “jao raman bhaiya jao, dekho kuch kar sakte ho ki nahi lekin itna jaan lo mai bhaiya ko pahle hi tait de chuki hoon ha ha ha.”


Raghu ke piche piche raman bhi uske kamre me pahuch gaya aur guste hi pahala sawal dag diya…kyu re tujhe dost ki jara bhi parwah nahi…


Kya hua (itna bola aur muskurate huye raman ko gale lagaya phir kamre me rakhe khurshi pe baithaya phir aage bola) tu yaha baith mai pahahle fresh ho aau phir bat karte hai.


Raman tunak ke utha phir raghu ko dabochte huye bola…sas sasur ke aate hi dost ko bhul gaya.


Raghu…are are…chod mai kab tujhe bhula, bata kab bhula.


Raman…acha ji.. kab bhula, abhi bahar kya kar raha tha mere samne se gujar gaya aur meri taraf dekha bhi nahi…


Raghu…sach kah raha hoon maine aisa jankar nahi kiya balki mera dhyaan teri aur gaya hi nahi phir bhi tujhe lagta hai maine aisa jankar kiya hai to tu chahe to mujhe mar le…


Raman…aaj to tu vaise bhi nahi bachne wala agar meri help nahi kiya.


Raghu jan gaya tha ki raman kis kaam me help karne ko kah raha tha lekin bichra kuch kar nahi sakta tha kyuki bahan ne pahle hi chetavni de diya tha ki raman ko shalu ke bare me kuch na bataye ab uske samne dubhida ye thi ki bahan ki mane ya dost ki help kare bahan ki baat na mana to maharani ji kuch bhi kar sakti hai aur dost ki help nahi kiya to dono me mal yudh hona tay hai. Barhaal sab jante huye bhi anjan banne ka swang rachte huye raghu bola…acha bata tujhe meri help kis liye chaiye…


Yaha sunte hi raman ka man mayura nacha utha bahan ne help nahi kiya to kya hua ab uska dost, uske kaam aayega. Bas raman tapak se bol pada…pushpa ne call karke khud bulaya ki shalu se milne ka kuch parbandh karegi lekin jab se aaya hoon maharani ji meri baate do pal theek se sun hi nahi rahi.


Raghu… ab tu chahta hai bahan ne jo kaam nahi kya vo mai karu..


Raman bechrgi sa muh banaye haa me mundi hila diya phir chakor pakshi jaise chandni rat me chand ko takta hai. Bilkul vaise hi takte huye raghu se kuch acha sunne ki umid karne laga. Lekin raghu to sab janta tha parantu bata nahi sakta tha phir bhi apne jigri yaar ko kuch to kahna tha jisse uske dil ko thodi shanti mile. Isliye raghu bola…ab to rat ho gayi hai. Maine shalu se milne ka tera kuch prbandh kar bhi diya tab bhi tujhe koy jane nahi dega isliye sirf ratri bhar prtiksha kar le subaha agar pushpa ne koyi parbandh nahi kiya to mai pakka koy na koy vyvastha kar dunga.


Milan ki aas liye raman kab se ek ek ghadi ginn raha tha ab use thodi aur partiksha karna tha. Halaki ye uske liye thodi dubhidha janak tha lekin dost ne kaha hai to kuch na kuch prbandh karega isliye udasin bhav se haa me mundi hila diya. Raghu bhi raman ke manobhav se anjaan na tha vaha bhi vivah se pahle iss daur se gujar chuka tha. Isliye apne dost ko thodi aur dilasa diya phir bathroom me chala gaya.


Kuch der me raghu bahar aaya phir apne dost ke saath bhinn bhinn parkar ki chrcha karne lag gaya. Dono dost bato me itna khoye the ki unhe dhyaan hi na raha ki bhojan ka samay ho chuka hai. Vo to bhala ho kamla ka jo apne pati dev ko bhojan karaye bhina khud bhojan nahi karti. Kamla nahi aati to shyaad dono gappe hakne me hi lage rahte. Barahal bhojan ka neyota milte hi dono ko bhukh ka abhas hua aur sarapat kamla ke saath bhojan karne daud pade.


Yahan bhojan kaksh me raman ke liye ek achuk uphaar partiksha kar rahi thi jisse anjaan, raman dost ke saath mast maula chala aa raha tha. Jaise hi bhojan kaksh ke dwar pe pahucha aur andar ek jana pahchna chehra dekhar raman thahar gaya sirf rukha hi nahi balki aas paas kaun hai kya kar rahe hai kya kah rahe hai. Sab bhulakar us chahre ko dekhkar anjan vadiyo me kho gaya.


Raman ki yaha dasha dekhkar pushpa mand mand muskaye ja rahi thi aur thuski marke surbhi ko bhi dikhaya sirf dikhaya hi nahi balki kan me bola…dekho maa raman bhaiya kaise ghar aaye mehman ko thad rahe hai aap unhe kuch kahte kyu nahi..


Pushpa ki baat pe surbhi pahle to muskayi phir Raman ke dirishti ka picha kiya too dekha shalu mand mand muskan hoto pe sajaye thodi si mundi uthaye, raman ko dekhe phir mundi niche kar le phir balo ko sahlate huye aas paas dirishti daudaye ki koyi dekh to nahi raha yaha dekhar surbhi ke muh se swtah hi nikla…dono ek hi nav pe sawar hai…


Pushpa…ha dono ek hi nav pe swar hai lekin dur dur…


Surbhi…to kya hua aaj nahi to kal paas aa hi jayenge…


Itna bol surbhi ne pushpa ko dekhkar muskura diya aur prtiuttar me pushpa bhi muskura diya. Dusri aur raman ki yaha dasha dekhkar raghu mand mand muskura raha tha jabki kamla chup chap aage ko bad gaya. Barhal raghu apne dost ko abhi kuch kahta ki tabhi ek aawaj gunja… are raman raghu jaldi aao bhai bahut joro ki bhukh lagi hai…


Yaha bolne wala rajendra tha jinhone raman aur raghu ko dwar pe khada dekhkar bola tha. Abhi aayi awaj pe raman koy pratikriya de pata ki tabhi ek aur awaj usko sunayi diya…dekh le bhai ji bharke dekh le use hi dekhne ko tu kab se tarsh raha tha.


Yaha bolne bala raghu hi tha jab raghu ki awaj raman ke kano ko chua to vaha apne mundi ko ek jhataka sa diya phir raghu ki aur mundi ghuma liya kuch ksan rughu ko dekha phir samne ki aur drishti kar, ek aur chehre ko dhundha jo use mand mand muskata hua dikha aur prtiuttar me raman ne bhi muskura diya phir aage ko bad gaya. Raman apne baithne ki jagah tak pahuch pata usse pahle hi pushpa aayi aur raman ka haath thame le jate huye kan me boli…kyu bhaiya upahar kaisa laga. Sundar hai na…


Raman ke liye shalu bahut pahale hi vishv ki sabse sundar stree ban chuka tha. Jiske saundary se mohit hokar raman prem roopi sagar me gote laga raha tha aur ek bar punh bhet ki aas man me liye ek ek ksan kat raha tha halaki jab pushpa ne raman ko call karke bulaya tha tab uski aasa ko bahut bal mila tha lekin rajmahal aate hi pushpa ne jaisa vyvhaar uske saath kiya usse raman man hi man apne pran pyaari bahna se khinn ho raha tha parantu vaha murkh ye nahi samjh paya ki uski bahan jo kar rahi hai. Vah sirf uske tadap ko bada rahi hai aur yaha jan rahi thi ki uska bhai prem sagar me kitna dub chuka hai. Halaki pushpa ka man to tha ki raman aur shalu ka bhet subah hi karbaye lekin apne bhai ki manodasha aur badti tadap ko dekhar ratri bhojan me hi dono ka bhet karba diya.


Yaha to sirf ek paksh tha jabki dusra paksh shalu jiski manodasha bhi raman jaisa hi tha. Raghu ki vivah me jab dono ka bhet hua tha tab dono apas me kisi bhi tarah ki koy baat nahi kiya tha sirf ek duje ko dekhke muskurate rahe aur nazro ka takrav hote hi nazre pher lete the. Parantu jaise jaise samay bitata gaya vaise vaise shalu ne jana ki uska man kisi se milne, use dekhne ko taras raha hai. Jab ekant me uss shaks ke bare me sochti tab use sirf ek hi chahra dikta tha. Jo ki raman hi tha.


Shalu jab raman ke bare me sochti thi tab uska kisi kaam me man nahi lagta tha aur isi karan kai baar uski maa se dant bhi pad chuka tha. Lekin shalu maa ko kuch kah nahi pati thi sirf muskurake tal deti thi. Sirf itna hi nahi shalu apni manobhav ki charcha karna chahti thi lekin kisi se kar nahi pati thi kisse kare, do shaki thi ek vivah karke chali gayi aur dusri chanchal thi lekin chanchal had se jayda chanchal thi jo shayad uske bato ko jankar usski khilli udaye sirf yahi baat sochkar chanchal se koy charcha nahi kar payi, shalu ek aur baat pe vichar kar rahi thi jo uske man ko bha gaya vaha ladka kaisa hoga. Shalu ne socha iss bare me kamla hi bata sakti hai. Lekin kamla se puche to puche kaise lekin kamla bhi adbhut nari hai jab bhi apne sakhiyo ya maa baap se bate karti thi to aur charcha jab uske sasural ki hoti thi to ek ek sadasy jo uske sasural paksh se sambandh rakhta tha unki charcha khule man se karta tha. Un charchao me raghu aur raman ki dosti ke bishith ghatanaye bhi hoti thi. Bas shalu ko aur kya chahiye jo bate vaha janna chahti thi vaha bate bina puche hi kamla ne bata diya. Iske bad to Shalu ke man ki sabhi dubhida khatam ho gayi bas dubara kab bhet ho yaha asha man me liye deen katti rahi. Uski yahan aasa bhi tab sakar hota hua dikha jab rajmahal se nimantarn diya gaya.


Barhal jab pushpa ne raman se sabal pucha tab raman ne muh se kuch nahi bola bas isharo me kah diya ki vaha iss sundar uphaar ki hi partiksha kar raha tha. Yaha jankar pushpa sirf itna bola “budhu bhaiya” aur le jakar theek shalu ke bagal me baitha diya aur apne nirdharit sthan pe jakar baith gayi.


Ye kaisa chamtkar ho gaya dusri hi bhet me dono ek dusre ke bhaju me baithe the lekin hridy gati dono ki asamany bhav se chal rahi thi. Jah pahale dono ek dusre ko tukur tukur dekh rahe the vahi aab ek dusre se nigahe nahi mila pa rahe the. Jabki sabhi apne apne nirdharit sthan pe baith chuke the aur bhojan karna arambh kar diya tha.


Dono ke iss vavhar pe kisi ne dhyaan diya ho ya nahi lekin pushpa maharani ki drishti bhojan karte huye bhi in dono pe bana hua tha. Raman aur shalu ki gatividhi dekhkar pushpa samjh gayi dono ek dusre se baat karne me hickicha rahe hai to pushpa boli…raman bhaiya ye dono bhabhi ki khash shakhiya hai aur pahli bar yaha aaye hai to unka bishesh dhyaan rakhiyega.


Pushpa ki bato ne kisi pe koyi galt prbhav nahi dala koyi galat kaise soch sakta tha jo kaha sahi kaha tha kyuki chanchal aur shalu ke liye nai jagah thi aur kisi se gulegi milegi nahi to unka man kaise lagega lekin pushpa ki mansa koy aur jane ya na jane raghu surbhi pushpa aur raman janta tha. Barhaal suruati hichkichat ke baad shalu aur raman ek dusre se do char bate kiya jo samany hi tha. Khair kuch samay me sabhi ne bhojan kar liya phir jo atithi the ve apne apne nirdharit vishram kaksh me chale gaye aur parivar ke sadasy kal ke jalsa pe kuch charcha kiya phir ve bhi vishram karne chale gaye.


To be continued
 
Will Change With Time
Moderator
10,100
17,421
143
Update 66 post kar diya hai aur ha bahut deeno bad likha hai to koyi bhul chuk ho to dosto maaf kar dena.
 
Will Change With Time
Moderator
10,100
17,421
143
Aage ki story hinglish me likhne ki socha hai isliye update 66 ko higlish me post kiya. To batayega ki aap readers bandhu kiss lipi me read karna pasand karenge.
 
expectations
23,333
15,308
143
Bahut badhiya update do dilon ka judna aapas me prem ki suruaat ek pyara ahsaas hai man me gudgudi hoti ek bechaini ek khusi hoti hai

update me sabse strong roll maharani sahiba ka raha waise mast mast mast
 
Will Change With Time
Moderator
10,100
17,421
143
Bahut badhiya update do dilon ka judna aapas me prem ki suruaat ek pyara ahsaas hai man me gudgudi hoti ek bechaini ek khusi hoti hai

update me sabse strong roll maharani sahiba ka raha waise mast mast mast
Thank you ji
 

Top