Thriller DARD

i ÃM ŸöÜř Đãď
492
247
43
UPDATE - 9

Mai : ye bhi koi bolne ki baat hai. Jab bhi kuch ban jaunga to tujhse jarur milunga.
Phir usne mujhe station chod diya. Mai bina soche jo train mujhe dikhai di usme chad gaya.

Abbb aaggeee.........

Mai window ke paas wali jagah par baith gaya . Train chal padi saamne ek umar daraj aurat baithi thi jo mere ghaav dekh rahi thi aakhir usne puch hi liya.
Aurat : beta ye itni sari chote kaise lagi.
Mai : ji ye to wakt ki maar hai, bhar jayegi.
Aurat : beta jada dard to nhi hai.
Mai : ji ghaav to upri hai par rooh ke zakhm zaroor "DARD" de rhe hai.
Aurat : tumhari baato se lagta hai kismat ke sataye hue ho.
Mai : (dard bhari muskuraht ke sath) kismat ka kya hai ye bhi bakiyo ki tarah sath chod gyi , sath hai to bas "DARD" ye bakiyo ki tarah dhokebaaz nhi hai.
Aurat : tum akele ho, tumhare ghar wale kaha hai. Dikhne se to 16-17 saal ke lagte ho.
Mai : (has ke) gharwale unhone hi to ghar se nikal diya hai.
Iske baad dono ke bich shaanti cha gyi. Aurat samajh gyi ki lafke ke saath kuch bohot bura hua hai.
Mai : waise ye train kaha tak jayegi .
Aurat : ye to Delhi jaa rhi hai, tum kaha ja rhe ho.
Mai : jaha manjil le jaye.
Aurat : mera naam nitya hai.
Mai : Nitya ji mera naam Reyansh hai. Nitya : nice name.
Mai : kya faida aise naam ka jise koi lena hi nhi chahta.
Nitya : tumhari baato se lagta hai nyi shuruwat karna chahte ho aur pta hai jab nyi shuruat karni ho to har purani aur kadwi yaado ko bhulana padta hai.
Mai : ye yaade ye to mere akas hai jab bhi bhulna chahta hu to saamne aake khade ho jaate hai.
Ye bolte hue mere aakhon me aasoon aa gye. mera jawab sun ke aur mere akhon me asoon dekh ke nitya ji ka dil tadap utha unse mujhe gale laga liya aur boli.
Nitya ji : mujhe nhi pta tumhe kaunsa gum hai par itnisi umar me itni gehri baate sun ke lagta hai jaise bohot si chizo se guzre ho.
Mai unse alag hote hue kaha.
Mai : ji ab jo ho gya so ho gya . Aap batayi ye ki aap kaha ja rhi hai .
Nitya ji : beta mai to mumbai jaa rhi hu.
Mai : chalo kuch der ke liye hi sahi apka sath to mila.
Aise hi safar kata aur nitya ji bhi mumbai me utar gyi aur reh gye mai aur meri tanhayi.
Khair train ka aur mera bhi akhri station aa gya Delhi mai bhi apna saman leke utar gya.
Bhuk lagi thi to aagya ek chote se hotel me . Khana khatam karke bahar aur bahar aa gya ab sawal ye tha ki raat kaha gujare room abhi le nhi sakta tha kyuki paise kam the aur room le leta to khata kya isliye ek park me aa kar wahi ek bench par let gaya aur aaj ke baare me sochne laga phir pata hi nhi chala kab nind aa gyi.

Wahi mere ghar... sorry sorry Mr. Raghuveer Rajpuj ke ghar me.

Mai nikl gya tha uske baad sab apne apne room me the. Swara ko uske room me band kar diya tha papa ne. Jab saima maa aai to kaam nipta ke jab mere room me aayi to mujhe nahi paya


Dekhte hai aggee kya hota hai.....
 

Top