Incest Kya GOVIND yunhi tarasta rahe ga!!!!

Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
Govind.jpg
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
Dosto... Episode 82 haazir he...

Khaas baat iss update aur agli aane waali 2 updates kee yeh he ke... yeh 3 updates hamen Kailash ka milan kesse hua Rajni ke saath jo ke Govind ke Mata Pita hein... phir Krishna jo ke Govind ka Mama he wo kahan he... tau iss tarah se kuch rahsy se parda hat raha aur kuch naye prashan bhi saamne aarahe hein... kahani ko romanchak bannane ke liye yeh updates mahtavporrn hein...

iss tarah ke kahani jis mein kuch hisse ya phir kisse ateet se jude hon... un ki yatra se hi kahani ke tukde judte hein aur kahani mukkamal hoti he...

aap sab dosto ki sarahana aur support ke liye aabharee hoon... jude rahiye...
 
Will Change With Time
Super-Moderator
25,316
19,146
143
Kya GOVIND yunhi tarasta rahe ga!!!!

EPISODE – 82

FLASHBACK… Smaran… 1/3

Kailash Nath… train me he… us ko bas apna naam yaad he… kahan se aaya he… kahan jaa rahaa he… is train me kab aur kaha se betha?… kuch yaad nahi he… ye bhi yaad nahi ke yaadaasht kab se kho gayee thee…

Kailsah Nath ko payaas lag rahi he…

Train slow ho rahi he…

Raat kaa samay he… shayad 8 baje honge raat ke… watch nahi he is ke paas… paas koi aur samaan bhi nahi he…

Jaib khali he… ticket bhi nahi he… koi rupya bhi nahi he…

Kailash Nath oopari birth par betha he… ye train ki lower class he…

Samne wali birth par aik budha so raha he…

Neeche seats par 2 families hein…. “kayaa in se paani mangu… yadi inkaar kar diya to…”

Train slow ho rhai he… kissi bade shehr ki roshnian chamak rahi hein… “station par utar kar paani pi leta hu…”

Train ruk jaati he… wo neeche utar kar train se bahar aajata he… station par zayada bheed nahi he… bohat thode log chadne wale aur bohat kam log utarne wale hein…

Wo saamne lage nal se paani peeta he… hathon ko jod kar… waha glass nahi he…

tezz hawa chal rahi he… us ko ahsaas hota he ke us ke kapde maile hein… baas aarahi he kapron me se…

Station ki building par bade lafzon me “Jaipur” likha he… Building bohat khoobsurat he…

Wo sochta he ke mujhe yadi kahee nahi jana to ab train par chadne se kya faida… yaha shayad kuch khaane ko mil jaye… pyas bujhne ke baad bhook bhi jag gayee he…

Saamne aik thehla he… waha se chole bathoore ki khushboo aarahi he… us ke andar bhook badh rahi he… wo thehle wale ke pas chala jata he… train ab chalne lagee he… jin logon ne utarna tha utar gaye… jin logon ne train par chadna tha chadh gaye…

Kailash Nath thehle wale ke pas khara he chup chap…

Thehle wala us ko dhutkarta hue… “chal be bhikari… hat yahan se… kitni baas maar rahio re… shakal se hi nasheri lag rahio…”

Aik dayaalu aadamee thehle wale ko rokte hue… “na jhirkio re isse… koi dukhi aur museebat ka maaro lag rahio he… aik plate chole bathoore is ko de diyo… rupya mujh se le lio…”

Aur yun Kailash Nath ko aik plate chole bathoore ki mil gayee… us ne krtagyata se bhari nazron se us dayaalu manush ko dekha aur pal bhar me plate saaf kardi… us ko ye bhi yaad nahi tha ke akhiri bar khana kab khaya tha…

Kailash Nath Station se bahar nikal ayaa… yunhi bina kisee kaaran aur disha ke aik taraf chal pada… aage se kuch awaaz aa rahi he… kuch log shayad jhagadh rahe hein… nahi kissi ko maar rahe hein… dekha to 3 log hein un ke chehre dhake hein kapro se aur wo aik jawaan ko maar rahe hein… jawaan khali hath he… aur un ka mukabla kar raha he… lekin us ke sar se khoon nikal raha he…

Phir aik nakab posh ne lathi zor se ghuma kar phir se us ke sar par de maari… is baar wo sehan naa kar saka… neeche gir gaya…

Kailash Nath aage badha… “thehro… ruk jao… kyun mar rahe ho isse…”

“chal be bhosdike apna raasta naap… nahi to teri bhi chatni bana den ge…”

Kailash Nath se gaali na sunni gayee… us ne aage badh kar us lathi wale ki lathi pakar kar aik jhatke me cheen li…

Wo shakhs ashcharya se usse dekhne laga aur dekhte hi dekhte Kailash Nath ne aesi laathi ghaumai ke wo teeno ghunde bhag ke nikal liye… aesa nahi tha ke ghunde anaadi the… lekin Kailash ka lathi chalane ka tareeka visheshagy ladaku ka tha… wo naa thehr sake Kailash ke aage…


Kailash Nath sochne laga ke kya usse laathi chalana aati he…??

Us ne dekha zameen par pade ghayal jawaan ki or… us ke sar se khoon beh rha tha… Kailash ne usse sahara de kar khada kiya aur us jawan ki pagadee ko phar kar patti bana kar us ke sar par lappet di… “ye kon the… kyun marna chahte the tumhe…”

Jawaan… “mein in ko nahi janta… mein to apne Pita Ji ko Station chodne aaya tha… wo rahi meri ghoda-gaadee… kya tum usse chala kar mujhe mere ghar tak chod sakte ho…??”

Kailash Nath… “haah haan… kyun nahi… tumhara naam kya he…” Jawaan ko ghoda-gaadee me sahara se kar bithate hue…

Jawaan… “Krishna…”

Krishna… “main tumhara aabhaaree hoon. Tum ne meri jaan bachaee he…”

Kailash Nath… ab ghode ki raas sambhalte hue… “koi nahi… ye to mera kartavy tha… raasta batao… kis oar chalna he…”

Krishna ne us ko rasta samjhate hue… “tumhara naam kya he…”

Kailash Nath… “Kailash Nath… is se zayada mein nahi janta ke mein kahan se aaya hu aur kahan jana he… mujhe bas apna naam yaad he… apne bare me kuch aur yaad nahi he mujhe…”

Krishna ye sun kar heran to zaroor hua lekin us ne zayada zor na karte hue… “chalo koi nahi… aaj se tum mere dost ho…”

Krishna ko is jawaan se hamdardi ho rahi the… is ki jaan jo bachai thee is ne…

Ghar pohnche to sab pareshan ho gaye… doctor ko haveli me hi bulwa liya gaya… marham patti ke baad sab ko hosh aaya ke ye jawaan kon he jo Krishna ke sath aya he… Krishna ne bataya ke yahi to wo jawan he jis ne jaan bachayi he is ki…

Aik larki badhti he aage… aur hath jod kar kahdi ho jaati he Kailash Nath ke saamne… “aap ne hamare oopar bohat bada upkaar kiya he… Bahiya ki jaan bachayi he…”


Lekin Kailash Nath kab us ki baten sun raha tha… wo tau is purvaee ki tarah se mehakti… sitaro si chmakti… jharno si lehrati ladki ke chehre ke rang dekh raha tha… kai titlion ke hazaron rang is ladki ke chehre par the… kiya koi itna khubsoorat ho sakta he… wo ladki bhi is jawaan ki aankho ko yun apne chehre par jame dekh kar sharma gayi.. janti thi ke wo itni sundar he ke chalne wale bhi ruk jate he aur rukne wale pathar ke ho jate he… lekin is jawaan ki to jese zindagi hi tham gayee thi… ye to apne hi hosh kho kar baas kahee gum sa ho gaya tha…

Jaansoz ki haalat ko
Jaansoz hi samjhega
Mein shamma se kehta hoon
Parvaney se nahi kehta


Keval aik peedit… keval koi jo janata hai ki apni khud ki aag mein jalna kaisa hota hai… apne hi junoon se bhasm ho jaana kessa hota hai… Vahee samajhega ki use kaisa lagta hai... aur isi liye wo khud ko shamaa ki lau ko sambodhit karta he… patange ko nahi… patanga kya jaane junoon ke baare mein...

Param premi banane ke liye kya karoge…?? shamaa ki lau banane ke liye kya balidaan karoge…???

Krishna ne aakar us ke kandhe par hath rakha… “Muniyam ji ke saath jao… ye tumhe tumhara kamra dikha den ge…”

Is tarah se Kailash Nath ko mardaane me aik kamra de diya gaya jo mehmano ke liye tha… waheen kapde rakhe the jo us ne naha kar pehan liye…

Agle roz us ki mulakat hui Seth Lalchand se… wheelchair par bethe suruchipoorn manush ne us ka dhanyavaad tau kiya lekin lehje me aprasannata thee… aik sandeh tha… Kailash Nath ki kahani se santusht nahi lage yadaasht kho jane wali baat se…

Seth Lalchand ye zaroor samjh gaye the ke Krishna par ghaatak hamla tau hua he aur yadi Kailash na bachataata tau shayad wo ghunde khatam kar chuke hote Krishna ko… aur chehre dhampne ka uddeshy ye tha ke wo pehchan me na aajayen…

Seth Lalchand ne Muniyam ji ko bula kar ghussa kiya… aur kaha ke aaenda se Krishna akela kahee nahi jaye ga… parivaar ki dushmani to thi nahi lekin koi tau tha jo Krishna ko khatam karna chahta tha…

Phir un ki Mulaqat hui Krishna ke Pita ji ke chachere bhai… Manish Chand aur un ke bete Nilesh Chand se… ye log ache na lage… Kailsah ko … naa hi Kailash se zayada baat ki un logo ne… bas mulakat namaskaar tak hi rahi…

us din ke baad se Rajni se mulaqat bhee naa hui…

Rajni apne bhai ki khidmat me lagee hui thee… apni jaan se pyara tha… us ko… pehli mohabat thee… wo aksar apne bahi se lipat jatee to bohat dair tak yunhi lipti rahti… Krishna ko apni behn se pyar tha… aur wo bhi khub smajhta tha Rajni ki bhaavnao ko… lekin ye bhi janta tha ke kachi umar me yun aakarshit ho jate hein aik doosre se…

Jis raat us Krishna par hamlaa hua tha… sab ke jaane ke baad… Rajni Krishna ke kamre me aagayee… aur dher saree baten karte karte whaee aankh lag gayee us ki…

Maa aakar uthane lagee… “uth Rajni… apne kamre me ja kar so… ghodi ho gayee he sone ka dhnag nahi seekha…”

Rajni neend me… “Maa sone de na… me nahee uth rahee… bas sone de…”

Krishna… “koi nahi Maa… sone de isse… neend na kharab kar is ki… meri behna kitni payari lag rahi he sote hue…”

Maa… badabadaate hue… “tum ne hi sar Chadha liya he isse…” aur Rajni ko wahee sota chor kar bahar chalee gayee…

Krishna ka to wese bhi double bed tha… aik taraf Rajni soyi hui thee… doosri taraf… wo let gaya alag takiye par… dono ki chadar bhi alag thee…

Krishna ko bhi jald hi neend aagayee thee… kuch shayad doctor ki di hui dawa ka bhi asar tha… aur kuch choton ke karan kamzori bhi ho gayee thee usse…


Jaane kab neend me Rajni us ke pas aakar us se lipat gayee… Rajni ka komal badan… aur Krishna ka mazboot shareer…

Dono ke badan ke vinyaas alag… lekin prabhaav aik tarah ka… dono ke badan dehekne lage the jawaani ki aanch se…

Kailash chand ki biti yade bada hi asadharan hai aur jab uski mulakat rajni ya krishna se hua tha use pahle hi uski yade ja chuka tha khair iss update se ek shnka upaj aaya ki lalchand ke chachre bhai shayad talhati me kuch gul khila rahe hai khair kya hota hai ye to aane wale update me pata chal jayega.

Adbhut lekhan kaushal
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
Kya GOVIND yunhi tarasta rahe ga!!!!

EPISODE – 83

FLASHBACK… Smaran jaari he… 2/3


Jaane kab neend me Rajni us ke pas aakar us se lipat gayee… Rajni ka komal badan… aur Krishna ka mazboot shareer…

Dono ke badan ke vinyaas alag… lekin asar aik tarah ka… dono ke badan dehekane lage the jawani ki aanch se…

Dono neend me the yaa nahi… lekin jawani ka nasha zaroor tha… aik saroor tha jo badhta ja raha tha…

Neend me ya madhoshi me dono badan aik doosare ki sursurahat sun rahe the… behan bhai nahi… do badan the jo apas me bat kar rahe the… shabad aaj ya kal ke nahi the …. Kissi praacheen boli ke shabad the… jism khoob pehchante the in shabado ko…

Krishna ko shayad kuch theek na laga… us ki maryada jaag gayee… Rajput khoon shor karne laga… pratirodh kiya badan ki dehekti aanch, ichcha aur lalcha ke khilaf aur rok liya sahi samay par khud ko aur is shor machati, uthathi, ithalati jawani ko…

Krishna ne behan ke honto ko aik bosa dekar us ke mathe ko chooma aur bade prem se apne aur us ke kapde theek kar diye… us ne Rajni ko bhi sambhala aur khud ko bhi… maryada ko fatah mili… us ne bade payar se… dulaar se… divy prem se… apni behn ko apne paas sulate hue so gaya…

Agle din Krishna ne soch liya tha ke Rajni badi ho gayee he aur is ke shadee ab jald ho jani chahiye… Nilesh ka saala Ritin ke gharwale Ritin ke liye baat daal chuke the… aur Krishna soch raha tha ke koi munasib mokka dekh kar Pita ji se baat kare ga…

Din guzarte gaye… Seth Ameer Chand bhi wapis aagaye the… ajeeb to un ko bhi laga… Kailash ki yadasht ka sun kar… lekin aabharee the us ki sahayeta ke…. Apne bete ki jaan bach jaane par…

Idhar Manish chand aur us ke bete Nilesh chand… Seth Lal Chand ko baar baar yahi paath padha rahe the ke… ho naa ho ye chaal is Kailsah Nath ki hee he… pehle hamla karwaya Krishna par aur khud bachaya us ko aur ab kahani sunata he ke yadasht chali gayee he… ye zaroor yaha koi maksad lekar aaya he… is ko nikal bahar karo…

Shayad wo Ameer Chand par dabaav bana kar Kailash ko nikaal bahar karte… yadi aik aur na ghatana ghat jatee…

Saal me aik baar mukabla hota tha aur freestyle pratiyogita ya ladaee ka sanskaran jis me pratiyogiyon dvaara niyojit chaal ya takaneekon par kuchh pratibandh nahi hain. Yeh ladaee do khilaadiyon ke beech nange haathon se shuroo hotee aur phir ladaee jaaree rahte hue lath baazi tak jaatee… aur darshakon mein se kisee ko bhee 2 do tak ko ijazat thee ke apane khilaadee kee madad karane kee anumati milne ke baad wo bhi bhaag le sakte the chal rahee ladaee mein…

Aaj tak jitni bhi ladaee hui thee… un me vijayee Krishna hi raha tha… Nilesh aur Ritin bhi ache lath baaz the…

Pindaal saj gaya… kuch naye khiladee maidan me aaye… aur kuch ladaee bhi aage chalee… Mahilaye maidan ke aas pas bane gharo ki chato se dekh rahee thee… har taraf aik shor tha… josh tha… mard darshak pindal ke gird kuch kursio par aur kuch bencho par bethe the… baaki sare zameen par hi bichi chatayee par bethe the…

Aur ab baari aayee aakhiri fight ki… Krishna utra maidan me…

Us ke mukable me utra Nilesh… dono ne khali hatho se khub jam kar mukabala kiya… aik baar Krishna ke neck lock se Nilesh badi mushkil se nikla… aur us ka chehra poora surkh tha ghusse se…. us ne apni lath maang li…. Us ke lath uthate hi… Krishna ne bhi apni lath utha li…

Pehle dono khiladee aik doosre ke saamne lath ghumate rahe aur sarrr sarrr ki awaaz goonj rahee thee…

Pehle vaar kiya… Nilesh ne… Krishna ne badi tezi se na keval vaar roka balki jawabi vaar me Nilesh ki kamar par halki thapki de di laathi se…. saaf pata chala ke Krishna bas us ke sath khel raha he… us ko dard ya takleef nahi dena chahta… poora tayar tha Krishna…

Kailash bhi moujood tha darashko me… us ne bhi daad di…

Nilesh phir sambhala… do kadam peeche hata… phir laathi ghumate hue Krishna ke sar ki taraf laathi marte hue aik dam se rukh badla lathi ka aur nishana bana diya Krishna ki kamar ka…. Krishna na samjh saka tha us ki chaal aur laathi ki zarab kaafi zordar thee… saaf pata chala ke Nilesh us ko takleef dena chahta he…

Darshako ne taliya to bajayi lekin zayada nahi… un ko bhi dono ke vaar me antar nazar aachuka tha…

Nilesh ke vaar ke baad ladaee kuch tanaav wale charan me ja chuki thee… ab Krishna ne bhi koi chhoot na dete hue bharpoor andaz me vaar karne shuroo kar diye…

Kuch dair me us ki sahayeta ke liye Ritin maidan me utra… us ke maidan me utarte hi aik khiladee Krishna ki sahayeta ke liye utra… ab chaar lath baaz 2 ki Jodi me yuddh kar rahe the…

Kailash ki tez nazre ye dekh kar heraan hui ke Krishna ka sathi Krishna ki sahayeta na karte hue mokka milte hi aankh bacha kar apne saathi Krishna ko hi laathi mar deta tha…

Ritin ki or se aik tez vaar se Krishna ke sar par chot lagee… Krishna kuch dair ke liye chakraya… lekin khud ko girne se bacha liya….

Kailash ko ye ladaee ajeeb lag rahee thee jese ke 3 khiladee lad rahe ho Krishna ke khilaaf…

Ab spasht roop se lag raha tha ke bas Krishna haarne wala he… us ke paksh me naare lagate darshak khamosh ho rahe the… Rajni chat par se apni sahelio ke sath bethi mayus ho kar khamosh ho gayee thee… us ki aankhen nam thee…

Aur phir aik aur lath baaz Nilesh aur Ritin ke naam ka naara marte hue maidan me utra… ghoshna karte hue ke wo sathi he Nilesh aur Ritin ka…

Aik aur lath baz bhi utarne laga Krishna ki side se… lekin Kailash ne us se lath le li aur zordar aawaaz mein ghoshnaa ki Krishna ke paksh mein…

Kailash ka ye ghoshat karna ke wo utar raha he Krishna ke paksh me…. Aik baar phir se Krishna ke darshako ke liye aasha jag gayee thee…

Rajni bhi apni sahelio ke saath phir se jaag uthi aur wo bhi apne bhai ke liye naare maarne lagee…

Pehle to Kailash ne lathi ko dayen… bayen aur phir zordar chakkar diya gol gol… us ke pratiyogee char char feet dur hat gaye… ladne se pehle hi Kailash ne bata diya ke hsoh sambhalo asal yoddha aagaya he maidan me…

Us ke lath ghumane se jo sarrr sarrr ki awaaz nikli thi wo aesi thee jese ke bohat saare sinh ghuraye hon….

Ab 2 ki Jodi me 3 – 3 yoddha the aamne saamne… is gathan me ke Kailash tha beech me us ke aik taraf Krishna aur doosri taraf pehle wala sathee…

Saamne Ritin beech me aur Nilesh aik taraf aur un ka teesra sathi doosri taraf….

Ritin badha aage hamle ke liye Kailash par… aur Nilesh Krishna par… Kailash ki nazar na keval saamne balki apne baghal wale saathi par bhi thee…

Ritin ke vaar ko sambhala Kailash ne aur wo dekh chukka tha ke us ke saathee ne samne wale par vaar ki bajaay Kailash ki or laathi ghumayi… Kailash ke zehan me pehle se ye baat thi… us ne Ritin ke vaar ko rokte hue aik kalabaazi kha kar doosri or jaate hue aik zordar vaar kiya Nilesh ki kamar par… Nilesh dohra ho gaya…

Saare pindaal me hahahakr mach gayee… kaya vaar kiya tha jawaan ne… aik vaar roka… kalabaazi khayee aur doosre ke peeche pohanchte hi us ki kamar par laathi bajaa di…

Kailash na ruka… lagta tha ke wo pratiyogiyon ko doosra moka nahi deta tha…

Bas pehle to us ne dher kiya Nilesh aur Ritin ke sathi ko… phir aik baar phir se Nilesh ki kamar par ussi jaga laathi bajayi…. Nilesh bhi zameen par dhool chatne laga…

Us ne dekha ke Krishna par un ka hi saathi vaar karne laga he to us ne lot lagayee zameen par aur aik ghatree ki tarah se roll karte hue us ghaddar sathee ki tange utha deen… us ki cheekh ne poore pindaal ko dehla diya…

Ghadaron ke liye koi reham nahi….

Ab us ne Krishna ko side me hone ka ishara karte hue Ritin ko awaaz di…. “aaja oye…”
 
Well-known member
VECTOR
2,152
8,506
175
Kailash chand ki biti yade bada hi asadharan hai aur jab uski mulakat rajni ya krishna se hua tha use pahle hi uski yade ja chuka tha khair iss update se ek shnka upaj aaya ki lalchand ke chachre bhai shayad talhati me kuch gul khila rahe hai khair kya hota hai ye to aane wale update me pata chal jayega.

Adbhut lekhan kaushal
ye dayaalu aur udaar shabd aur adhik likhane ke lie prerit karate hain...

Main vinamr aur sammaanit mahasoos kar raha hoon... :loveyou:
 

Top