Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

9
18
3
Acha ji jaisa k story ka part 1 end ho chuka hai aur aap sab k zehen mein kafi sawal honge. Jinme se aik common hai jo Saira se related hai. To mein bhi sabse same sawal poochunga.

Q. Sab apna apna guess batao Saira k bare mein. 2 din pehle woh Shaheer k samne hi Fareeha ki burai kar rhi thi aur 2 din baad usne Shaheerko convince kiya k woh Fareeha se pyar karta hai aur usko fareeha k paas jana chahiye. Aap logo ko kya lagta hai k Saira ka zameer jaag gaya hai ya kuch aur scene hai . Agar zameer nahi jaa gahai to kya reason ho sakta hai iske peeche ?

Jo bhi ho aap 2/3 line mein apna jawab de dein isi post ko quote kar ke. Jawab sirf ye nahi hona chahiye k woh game khel rhi etc thoda elaborate karna.

Jo sahi jawab dega ya closest jawab dega. Usko kal raat ko part 2 ka 1st update dm mein bhej dunga advance reading k liye.

Baki proper tareeqe se Part 2 parso start ho jayega. Usse related post kal kar lunga mein :dost:
Mujhy lgta fareeha ke saath abhi bhi koi aur hai jo samny nhi aaya aur jesa ke abhi reveal nhi huva
Update 1

Sham k taqreeban 6 baj rahe the, loh apne kam se ghar laut rhe the aur unme se aik shaheer bhi tha. Gadi drive karte hue apne ghar ki taraf jaa rha tha. 2 saal guzar chuke the aur in 2 saalo me boht badlav aaye the uske life mein. Jo usme sab se bada badlav aya tha wohh ye tha k wohh aik zinda laash ban chuka tha. Jisey na khud se gharz tha na dunya se. Uske ird gird kya ho rha in cheezon se usko farq nahi parhta tha. Bas robot ki tarah zindagi guzar rha tha woh.

Kabhi khud per ghaur nahi karta tha, jis wajah se uski daarhi (beard) kafi barh chuki thi. 25 26 saal ka hone k bawjood who 30 35 ka lagta tha. Aankho k gird siyah halqe, sookha sa jisam, mara hua chaal dhaal wohh purana Shaheer kahi mar gaya tha. Usko khul hase hue to shayad kayi maheene ho gaye the.

Usko dekh k aisa lagta tha k usme jeene ki aas hi nahi bachi hai. Bas majburi me zindagi guzar raha ho aisa haal tha uska. Dosto se milna chorh chuka tha, apno k naam pe uske paas bas Kashifa Khala hi bachi thi. Fareeha ko gaye hue 2 saal se ziada ho chuke the. Fareeha k jaane k baad woh itna toot chuka tha k uski himmat nahi huyi wapas usey dhoondne ki but jab himmat jhutaya usne to boht dair ho chuki thi aur fir himmat haar gaya tha.

Dusri taraf Saira bhi usey chorh kar jaa chuki thi ya usne khud bheja tha usko apne se door. Dost uske sab apne apne life me busy ho chuke the. Sarkash, saad waghera sab busy the apne apne life mein.

Col Shah ki posting ab operation zone mein thi, aur unki wife bhi unke sath hi thi. In 2 saalo mein aik hi baar milne aa paye the who log Shaheer se aur usi waqt uske sare dost bhi aaye the.

Shaheer sara din khud ko office me busy rakhne ki koshish karta tha taa ke uska mazi usey yaad na aaye. Wohh apne mazi ko bhoolne k liye sharab ka sahara leta tha aur ab pehle se bhi ziada peene laga tha. Sara din office me sham ko ghar jaa ke fir raat k kisi peher tak wohh peeta rehta aur peete peete hi so jata tha. Kul milakar ye keh sakte hai k usne apni life kharb karne me koi kasar nahi chorhi thi. Aur isme uska saathi tha Durrani, har mahine wohh usse milne ata tha aur 1 din dono mil k peete the aur aik dusre ka ghum baantte the.

In sab k bawjood shaheer ne kabhi apne business pe asar parhne nahi diya balke din ba din business ko aur unchaiyo tak pohonchata raha. Ab Pak k main cities mein uske company k branches the aur kam k mamle me boht strict tha wohh.

Shaheer drive karte hue ghar ki taraf laut raha tha. Har din ki tarah haath me ciggerate tha jo peete hue drive kar rha tha. Aankho mein wahi khalipan liye jaa rha tha. Haveli k nazdeek pohonch k apne family k graveyard k gate pe usne gadi roki.

Gadi se utar kar dheere dheere chalte hue graveyard k andar ghusa. Uska dil bhari ho raha tha hamesha ki tarah aur dhadkan tezz ho rhe the, ciggerate neeche phenk k aage barha. Samne 4 qabar the, 2 uske baba aur mamma ki, 1 fareeha k mom ki aur 4th​ pe kisi ka naam nahi likha hua tha.

Shaheer dheere se jaa ke Apne baba aur mamma k qabar k paas beth gaya. Bas khaali nazrein liye un qabro ki taraf dekh rha tha.
"Baba" kafi dair bethne k baad uske moon se nikla "Baba mein aap k waade ko pura nahi kar paya, wohh chorh kar chali gayi mujhe mein uska khayal rakh nahi paya baba"

Shaheer k aankho se aansu nikal gaye the ye kehte kehte. Uski awaz bhaari ho gayi thi, aaj who boht akela mehsoos kar rha tha. Aur uski aadat thi ye, jab bhi who akela hota tha graveyard me aa ke bethta aur khud se baatein karta najane kitni dair tak.

"Baba aap to kehte the aap ki beti samajhdar hai, fir who kyun samajh nahi payi aap k is bewaquf bete ko ?" Shaheer apne haath apne baba k qabar pe rakh k rote hue keh rha tha "Baba mein to bachpan se hi aisa tha na, rishto ko samajhne me der karta tha, par aap ki beti to aisi nahi thi, fir usne kyu intezar nahi kiya mere samajhne ka ?"

"Shaheer rona band karo dekho mein wapas aa gyi hu" achanak hi shaheer k kaano me ye awaz parhi, shaheer ye awaz kabhi bhool hi nahi sakta tha zindagi mein. Ye Fareeha ki awaz thi.

Shaheer jab murh k dekhta hai to Fareeha uske peeche hi khadi thi. Wahi green colour k kapde pehne jinme wohh boht khubsurat lagti thi shaheer ko. Shaheer usey dekhta hi reh gaya.

"Kkk k kkya.. tum waqi wapas aa gyi ho fareeha ?" Shaheer uthte hue hakla hakla kar kehta hai.

"Haan shaheer me wapas aa gyi hu" Fareeha jawab deti hai "Kya haal banaya hua hai tumne apna dekho, bilkul bewda lag rhe ho tum"

Uski baat sun k shaheer k chehre pe muskaan aa jata hai. Wohh khushi se jhoom uthta hai. Wohh uski taraf barhne hi laga tha k tabhi uska phone bajne lagta hai. Wohh jeb se phone nikalta hai aur attend karta hai.

"Haan shaheer kaise ho ?" dusri taraf se durrani ki awaz aati hai "Yar mein bas nikalne wala hu, raat dinner tak pohonch jaaunga tere paas"

"Wohh sab chorh mujhe tumhein kuch batana hai yar" Shaheer khushi se jhoomte hue kehta hai "Yar Fareeha wapas aa … …"

Bolte bolte samne dekh kar chup sa ho jata hai, kyunke samne koi nahi hota. Idhar udhar dekhta hai magar waha koi nahi hota. Fareeha kahi ghayab ho gayi thi. Ye dekh kar wohh idhar udhar bhaagta hai fareeha ko dhoondne k liye.

"Fareeha kaha chali gayi tum ??" shaheer cheekhte hue fareeha ko awaz de rha tha "Abhi to tum ayi thi kaha chali gayi, fir se mujhe chorh kar chali gayi na tum"

Shaheer rote hue idhar udhar bhaag rha tha, cheekh rha tha chilla rha tha, fareeha ko awaz de rha tha magar fareeha kahi nahi thi waha. Aakhir thak haar kar beth jata hai.

"Fareeha kyu karti ho tum mere sath aisa ? Kyu aakhir kyu ?" shaheer rote hue kehta hai "Tumhare na aane se itna dukh nahi hota mujhe, jitna tumhara is tarah aa ke chale jaane se hota hai, fareeha tum aa kyu nahi jaati"

Shaheer na jane kitni dair tak waha betha rota raha. Durrani ab bhi call pe tha aur ye sab sun rha tha. Shaheer k sath aksar aisa hota tha, usko achanak fareeha dikhti thi aur wohh usse baatein karta fir wohh achanak ghayab ho jaati thi.

Kashifa Khala ne usey Psychiatrist ko dikhaya tha tab usne ne bola tha k Shaheer Fareeha k bare me kuch ziada hi sochta hai, isliye usey helucinations hote hai kabhi kabhi. Aur iska ilaaj sirf ye hai k fareeha wapas aa jaye, jab tak wohh wapas nahi aayegi ye hote rahenge shaheer k sath. Kuch medicines bhi diye the psych ne but shaheer regulery khata hi nahi tha woh.

Jab Andhera chaane lagta hai tab shaheer waha se uthta hai aur chehra saaf kar ke gadi ki taraf aata hai, gadi mein beth k wohh haveli ki taraf jata hai. Fareeha k jaane k baad hi wohh wapas apne baba k city shift ho gaya tha aur main office bhi yehi shift kar liya tha usne.
Khatam ho gyi... Pata hi ni chalaa🌝😂

Itna suspens... Chalain dekhty hain aagy kya hota
 
Member
1,531
1,618
143

Superb update but painful
 
There can only be one king.
Moderator
3,406
6,210
143
Mujhy lgta fareeha ke saath abhi bhi koi aur hai jo samny nhi aaya aur jesa ke abhi reveal nhi huva
Khatam ho gyi... Pata hi ni chalaa🌝😂

Itna suspens... Chalain dekhty hain aagy kya hota

:thanks: for your precious comment :dost:

Fareeha kiske sath hai is waqt aur kahan hai woh aane wale updates mein pata chal jayega :D

baki part 2 ka pehla update tha to kuch suspense chorhne zaruri the :wink:

Keep Supporting :hug:
 
Top