Incest Aashiqui 1 (A Pure Love Story) (completed)

There can only be one king.
Moderator
3,936
6,702
143
I think ye story 5 years purani hai...or usi time iska 2nd part suru hone wala tha......kya bhai itne din Tak coma m the kya....agar tum original Durani ho to...nahi to copy paste accha hai....lage raho....

Bilkul ye 5 saal purani story hai.. I think aap coma mein the kyunke 5 saal pehle hi Aashiqui 2 aa gya tha aur uska bhi aik part complete hua tha... Btw mein Durrani hi hu, aap pehla post parhte is thread ka to samajh jaate k mein ye story dubara kyu post kar rha hu. Mein apne old readers ko wapas jorhna chaah rha hu. Kyunke mein isko complete karne k baad Aashiqui 2, Aashiqui 3 aur aik adult thriller story start karne laga hu. To woh start karne se pehle me chahta hu old readers jurh jaye. I hope aap sath bane rahenge woh stories start karne tak :D
 
There can only be one king.
Moderator
3,936
6,702
143
Thoda audltry bhi badhao. Part 2 ka intjar rahega

Yara i am really sorry but isme adultry nahi hai. Ye complete story hai 5 saal purani. Aur mere incest stories me adultry nahi hota, kyunke me thoda different karne ki koshish karta hu. Incest ko bina sex k as a normal romance k tor pe paish karta hu. Baki adult story bhi pipeline me hai, future me parhne ko milega, sath bane rahe
 
There can only be one king.
Moderator
3,936
6,702
143
Update 75

Aik aik kar ke police sab ko arrest karta hai aur police station ki taraf le jata hai , so ye simple and shut case tha kyu k sulaiman aur sher khan ne khud apna jurm qubool kiya tha jo sam ne record liya tha , isliye unke bale ka koi chance nahi tha ..

Dusri taraf sam , sneha aur vickaas bahir ate hai aur Saad Sid kafi thak gaya tha isliye vickas k ghar chala gaya thoda aram karne k liye .. sam driving seat ki taraf jata hai sneha sam k sath age wali seat pe bethti hai aur vickaas peeche bethta hai , sam gadistart karta hai aur age badhata hai , thodi dair khamoshi rahi phir vickas ne sam se kaha

Vickas :-Sam aik baat kahu ??

Sam :-Ab I love you na kehna plz …

Vickas :-mein to yehi kahunga …faale mein bs ye kehna chahta hu k tum mujh pe bharosa kar sakte ho dushman nahi hu mein tumhara .. Dost ban sakte hai hum

Sam :-Aik hi shart pe mein dosti karunga tumse ??

Vickas :-kaisi shart ???

Sam :-Mujhe pata nahi tum sach me Naziya se pyar karte ho ya nahi magar mein ne tumhare aankhon me uske liye pyar dekha aur uske aankhon mein tumhare liye … Bs tumse aik request hai agar tum usse sacha pyar karte ho to usse shadi kar lo .. who boht toot chuki hai ..

Vickas :-mera pyar sacha hai sam aur mein usse shadi bhi karna chahta tha but aunty ne beech me aa k mahrosh se shadi karne k liye kaha aur age tum jante ho … Kher Mein bhi aik hi shart pe Naziya se shadi karunga ..

Sam :-Ab bako ..Vickas :-tum dono meri shadi attend kar ke jaoge ??

Sam :-agar thoda jaldi kiya to zaroor attend kar ke jayenge warna engagement se hi kaam chala lenge …

Vickas :-ok done .. Then Friends

Vickas hath age badha k kehta hai phir sam usse hath mila k Friends kehta hai .. Sneha chup chap ye sab dekh rahi thi .. Phir kehti hai

Sneha :-kyu bhaiya pehle aap dono enemy the kya ?? jo ab Friends ban rahe hain ??

Sam :-nahi gudya rani naraz the hum dono aik dusre se ..

Sneha :-ohh acha acha …

Vicky :-waise sam ghar kyu ja rahe ho aur mujhe kyu sath le jjaa rahe ho

Sam :-Apne saman lane jana hai aur ghar walon se bhi milna hai .. aur ghar me koi hai nahi saman ghadi me rakhne k liye .. tumhe as a coolie sath laya hu

Vicky :-sale mein tujhe coolie dikhta hu kya ??

Sam :-nahi be tu to apna bhai hai mazak kar raha hu ..

Sam k moon se apne liye bhai sun k Vicky ko itni khushi hoti hai k uske aankhein nam ho jati hai aur wwoh sam se kehta hai

Vicky :-aaj tere moon se apne liye bhai sun k dil boht khush hua kasam se mein tujhse isi liye jealous feel karta tha kyu k tum mujhse theek se baat nahi karte the aur us sulaiman ko apne bhai se bhi barh kar mante the ..

Sam :-ab chorh na yar purani baton , ab dubara pehle ki tarah kabhi nahi hoga ..

Aise hi baatein karte karte sam k ghar pohonch jate hai , samk ghar mein pata chal gaya tha k sam zinda hai aur wapis aa chukka is liye sab be sabri se sam ka wait kar rahe the , jab gaadi ki awaz sunte hai to sab lounge mein aa jate hai , sam gadi park kar ke andar jata hai ..

Sam k andar jate hi uske dad aankhon mein aansoo liye uske pas ata hai aur usey boht zor se gale lagata hai , sam bhi unko zor se hug karta hai kyu k who bhi apne dad ko boht miss kar raha tha , thodi dair mein sam k dad unse alag hota hai aur sam k mathe pe kiss karta hai sam unke aankhon ko saf karta hai aur kehta hai

Sam :-aap rote hue ache nahi lagte bs hamesha khush raha karein

Tabhi usey Ahmer nazar ata hai sam be sakhta ja ke uske gale lagta hai , ahmer itna bada ho gaya hai magar ladkion ki tarah awaz nikal k ro raha tha sam se mil k sam khud bhi itna guilt feel kar raha tha k kaise usne apne bhai pe shak kiya , thodi dair mein dono alag hote hai phir sam saima ko hug karta hai who bhi ro rahi thi ..

Thodi dair mein sam usse alag ho ke apne momke gale lagta hai uski mom uske sar pe hath pherte hue kehti hai

Mom :-ab mein apne jan ko kahi nahi jane dunga apne pas rakhunga hamesha k liye dekha humse naraz ho gaye to kya ho gaya , ab mein apne jan ko kabhi khud se alag nahi karunga ..

Sam ko ab bhi yaqeen nahi aaa raha tha k usko marwane k plan mein uski mom bhi involve thi , tabhi koi sam ko bazu se pakadh k peeche khenchta hai , sam peeche dekhta hai to vicky ko peeche paata hai , Vicky kehta hai

Vicky :-aunty aur kitna drama karenge ab bs bhi kijiye

Kisi ka dhyaan vickas ki taraf nahi gaya tha kyu k sab sam se mil rahe the , achanak Vicky k bolne pe sab uski taraf dekhte hai aur soch mein padh jate hai k sam ka sab se bada dushman aaj uske sath kya kar raha hai , sam ki mom kehti hai

Mom :-ye kya badtameezi hai vickaas apne aunty se koi aise baat karta hai kya aur tum kis drame ki baat kar rahe ho ..

Vicky :-aunty ji jo tv pe chal raha hai who sirf trailer hai movie to sam ne release karne diya hai nahi warna aap ye sawal mujhse nakarte

Ye sun k sam ki mom samjh jati hai k sulaiman ne sab bata diya hai inko , who thodi dar jati hai tabhi sam Vicky se kehta hai

Sam :-vicky bs kar chup ho ja mein ne tujhe pehle hi samjhaya tha k tu chup rahega ..

Vicky :-chal theek hai tum jis ke liye aye ho who kam to karo ..

Sam chup chap seediyon ki taraf jata hai to pata hai mahrosh seediyon k upar khadi neeche dekh rahi hai , usko dekh k sam ko aik jhatka lagta hai kyu k ye who mahrosh hai hi nahi , aankhon k sideon pe kale nishan aur bikhre baal purane kapde kisi pagal se kam nahi lag rahi thi bs chehre pe sam ko dekh k aik khushi ki leher thi , neeche sab soch rahe the k sam usse milega but sabki soch ghalat nikli sam uske samne se guzarta hai uski haal tak nahi poochta ye sab ko ajeeb lagta hai ..

Sam sidha apne room mein jata hai aur apne almari khol ke apna laptop bag nikalta hai aur apna guitar leta hai aur kuch zaroori saman like deo , body spray aur perfumes waghera aik bag mein dalta hai aur neeche ane lagta hai , neeche ate hue dekhta hai mahrosh dheere dheere ladhkhadate hue neeche jaa rahi thi seediyon se sam usko andekha kar ke neeche ata hai aur guitar aur aik bag Vicky ko deta hai , ye sab dekh k sab ko ajeeb lagta hai aur uska dad kehta hai

Dad :-sam ye sab kya hai tum wapis ja rahe ho ??

Sam :-nahi dad mein ghar ja raha hu 3 weeks bad jaunga wapis ..

Dad :-konse ghar ?? yaha kya problem hai ??

Sam :-mera apna ghar ***** road pe Salma house hai na wohi mera naya ghar hai kabhi tym mile to milne zaroor ana ..

Aur sam ye keh k door ki taraf jata hai , sab usey hakka bakka dekh rahe the pehle sam k maut ki khabar sunke unki dunya hi ujarh gayi thi ab jab pata chla k sam zinda hai to kitne khush the magar sam ka rawaiyya dekh k sab hairan the , sam sneha ka hath pakadh bahir jane hi wala tha k sneha kehti hai

Sneha :-kya bhaiyya aap mujhe apne family se nahi milwaoge ??

Sam usko gaud mein uthata hai aur kehta hai

Sam :-kyu nahi zaroor chalo milata hu ( pehle saima aur ahmer k pas ja ke ) ye mere bhai aur bhaabi ( phir apne mom dad k pas ja ke ) ye mere mom dad hai ..Sneha sab ko hi hello bolti hai phir last mein mahrosh ki taraf dekh k kehti hai

Sneha :-bhaiyya aap ne unse nahi milaya mujhe ??

Sam :-who meri choti behn hai mahrosh

Sneha aise chonk jati hai jaise bhoot dekh liya ho

Sneha :-kyaaaa ??? bhaiyyaa who to kitni cute aur pyaari thi mein samjhi thi k ye naukrani hai

Sneha :-sorry bhaiyya sorry didi ..

Sam :-(apne family se ) acha ab mein chalta hu koi mera wait kar raha hai ghar mein

Dad :-kam az kam khana to kha k jao sam lunch ka tym ho gaya hai

Sam :-nahi dad mein bahir kar lunga, aap logon ko takleef uthane ki zaroorat nahi hai

Dad :-kaisi takleef bet….

Unki baat beech mein hi ruk jati hai kyu k sam unki baat bagher sune hi bahir aa jata hai uske peeche peeche vickas bhi bahirata hai aur tabhi Ahmer usey peeche se awaz deta hai

Ahmer :-Sab se mil liya magar apne jigar ko bhool gaye .. Usse mile bagher hi jaa rahe ho ?

Ye sun k sam k khushi ka koi thikana na raha .. Usey laga tha k uska jigar waha mar gaya tha .. magar ahmer ki baat sun k aur bhi khush hota hai ..aur ahmer se kehta hai

Sam :-kaha hai bhai mera jigar ? milao zara mujhe usse ..

Phir ahmer chup chap lawn ki taraf jata hai jaha chota sa ghar tha sam k dog ka .. Jab sam dog house k bahir jata hai aur jigar jigar pukarta hai .. uski awaz sunte hi uska jigar andar se bahir ata hai aur sam ko dekh k to uchalne lagta hai sam bhi jaa ke uske samne beth jata hai .. To uchal k apne paun sam k kandhe pe rakhta hai aur sam k chehre ko chaatne lagta hai ..Sam bhi uska chehra pakadh k usko aik do kiss karta hai .. Ye sam ki purani aadat thi .. woh aise hi apne jigar ko kiss karta tha.. Ab to uske liye sam ka aur bhi badh gaya tha ..

Sam uske gale mein hath daal k uska chain kholta hai .. Ab to ar pagal ho gaya tha sam k uper chadh jata hai .. aur sam kogira ke uske chehre ko chaatne lagta hai .. Sam usko pakadh neeche gira deta hai .. to woh dubara uth k sam k uper chadh jata .. phir thodi dair mein sam khada hota hai aur uske sath khelne lagta hai ..Kuch duri pe khade

Ahmer , Vicky aur Sneha usey dekh rahe the .. Thodi dair sam uske sath khelne k baad uske chehre ko pakadh k kehta hai

Sam :-Mera bacha ..Mera jigar .. kuch din aur yehi reh .. uske baad tumhein apne sath lekar chala jaunga london ..

Uske baad sam apne jigar ka chain wapis uske gale mein laga k ahmer logon k paas ata hai aur ahmer se kehta hai

Sam :-Bhai abhi toisey yehi rehne de .. Mein london jate waqt isey apne sath le jaunga ... tab tak iska khaas khayal rakhein aap ..

Phir sab parking ki taraf ate hai jahan gadi khadi thi ... ahmer ko bye bol k gadi mein beth jate hai ... sam sneha ko age bithata hai aur laptop bag Vicky ko deta hai Vicky usey peeche rakhta hai aur khud bhi peeche bethta hai , phir sam gadi start kar ke drive karne lagta hai aur gadi dhabe ki taraf le jata hai ..
 
There can only be one king.
Moderator
3,936
6,702
143
Update 76

phir sam gadi start kar ke drive karne lagta hai aur gadi dhabe ki taraf le jata hai ..

Sab chup the gadi mein koi kuch nahi bol raha tha sneha apne tablet pe game khel rahi thi , tabhi Vicky ne khamoshi ko torhtehue kehta hai

Vicky :-sam kya mein tumse aik baat pooch sakta hu

Sam :-haan pooch na isme permission lene ki kya zaroorat hai

Vicky :-mana k aunty tumhe marwane k plan mein inlvolve thi , magar tumhe is baat se koi faraq nahi padhta tum kisi aur baat ki wajahse apne ghar mein nahi reh rahe ho aur apne family members se sidhi moon baat nahi karte ho , koi khaas reason ??

Sam :-chorh na yar is baat ko tujhe batane layaq nahi hai

Vicky :-matlb tum ab bhi mujhpe bharosa nahi karte ho ??

Sam :-nahi yar bharose ki baat nahi hai , mein nekaha na tujhe batane layaq nahi hai , jis din mujhe theek lagega mein bata dunga ..Iske baad Vicky bhi ziada kuch nahi kehta phir dono dhaabe pe pohonch jate hai sam gadi park kar ke sneha aur Vicky ko le andar jata hai , sam ko dekh kar chacha ( dhaabeka owner ) dorhte hue sam k pas ata hai aur usey gale lagata hai , unke aankhon mein aansoo the thodi dair mein allag ho ke sam se kehta hai

Chacha :-mujhe yaqeen nahi hote k who dono itne kameene the mujhe to lagta tha who tumse boht pyaar karte magar mein ghalat tha , agar aaj police unko na pakadhta to mein khud ja k unki jan le leta ta ke age koi aisa karne se pehle 100 bar soche , bagherat log ..

Phir sneha ki taraf dekh k kehta hai

Chacha :-arey ye pari kon hai ??

Sam :-ye meri jan hai chacha meri choti behn sneha ..

Phir sam , Vicky aur sneha usi jagah ki taraf jate hai jaha pehle sam aur suli betha karte the sam us jagah ko dekh kar apne purane yaadon mein kho jata hai sulaiman k sath kaise masti kiya karta tha yaha , who sab usko yaad atehai , magar jald hi un yaadon se bahir ata hai aur waha beth jata hai ..

Thodi dair mein chacha khana lata hai sam sneha ko apne haathon se khana khilata hai aur sneha usey khilati hai , Vicky un dono ko dekh k smile karta hai , uski koi behn nahi thi who hamesha sochta tha k kaash uski koi behn hoti to who bhi sam ki tarah apne behn ko apne palkon pe bitha k rakhta ye bhi aik wajah tha Vicky ka sam se jealous hone ka ..

Thodi dair mein sab khana khate hai aur phir khana pack kar ke ghar jate hai .. ghar pe sab khana khate hai to sab sath hi city ghoomne nikal jate hai , sham tak city ghooomte hai phir sham ko jab ghar jate hai to pata chalta hai k nana g airport k liye ready ho gaye hai ,Phir sab apne packing karte hai sam aur sneha k ilawa phir teeno unko airport chorne jate hai ..

Airport per nana g sam ko ghanton tak naseehat karte hai aur jald hi wapis ane ka keh kar chale jate hai , Phir sam sab ko thanks bolta hai aur sab ko rukhsat karta hai .. phir teeno wapis ghar aa jate hai ghar aa ke sam apna laptop on karta hai aur net connect karke London call karta hai skype , soniya call receive karti hai

Soniya :-hello sam kaise ho aur sneha kaisi hai

Sam :-mein theek hu di sneha bhi theek hai yehi hai sath bethi hui hai aaj city ghoomne nikle the abhi aye hai

Soniya :-jis kam k liye gaye the who acha ho gaya shukar haihumne news dekh liya tha ..

Sam :-haan who theek se ho gaya koi ziada problem nahi hua .

Phir aise hi sam unse idhar udhar ki baatein karta hai phir sidharth se baat karne k baad unki baat sneha se karwata hai , phir sneha unse baat karne k baad call cut karte hai , dinner kar tym ho gaya tha sam Vicky se poochta hai Sam :-Vicky dinner ka kya kiya jaye bahir jaye ya yehi mangwa lein

Vicky :-mein jo kahunga who manega ??

Sam :-tu bol to sahi ..

Vicky :-mere ghar chalte hai aik baar mom k hath ka khana kha lo kasam se boht acha khana banati hai

Sam kuch soch kar haan karta hai aur phir teeno nikal jate hai vicky k ghar ki taraf , thodi hi dair mein gadi Vicky ghar pohonch jjati hai...gadi bahir park kar ke teeno andar jate hai , vicky ne ate hue hi msg kar diya tha k who apne doston ko le k aa raha hai to khana ready kar lein ..

Hall mein Vicky k dad bethe hue , the vicky k sath sam ko dekh kar thoda hairan ho ke kehta hai

V .Dad :-Vicky tum to keh rahe the k tum apne doston ko la rahe ho ???

Vicky kuch bolta usse pehle hi sam kehta hai

Sam :-mein konsa dushman hu maamu jan

V . Dad :-aaj tak to wohi the ..

Sam :-who kal ki baat thi ab hum dost hai

V . Dad :-sirf Vicky k sath dost ho ya humare sath bhi waise mujhse to tum boht nafrat karte the

Sam :-nahi maamu jan mein aap se nahi aap ke kam se nafrat karta tha

V . Dad :-phir aa jao mere sher gale milo apne maamu k

Sam ja ke unke gale milta hai , Vicky ki mom kitchen mein thi, awazein sun k bahir ati hai aur sam ko dekh k kehti hai

V . Mom :-aaj suraj kaha se nikla hai sameer sahab humare ghar tashreef laye hai aur who bhi Vicky k sath aaj to hum dhanne ho gaye

Sam unke pas jata hai aur unko hug kar ke kehta hai

Sam :-aunty ye serials zara kam dekha karein pura Indian ho gayi hai aap

V . Mom :-badmash mein kaha dekhti hu serial

Sam :-acha nahi dekhte ( Vicky se ) phir tum kyu keh rahe the mom serials dekhne mein busy ho gi humare liye khana banayegi bhi ya nhi

V . Mom :-kya vicky tumne ye sab kaha ??

Vicky :-nahi mom ye mazak kar raha hai , sam bol na yar kyu marwa raha hai mujhe ..

Aise hi thodi dair masti karte hai aur phir thodi dair mein khana lag jata hai to sab jaa ke dining table pe beth jate hai , aur khana start karte hai , khana khatam nahi hua tha k Vicky k dad ko call ata hai to who excuse kar ke bahir jate hai to sam Vicky k mom se kehta hai

Sam :-aunty Vicky ki shadi kyu nahi karate ho aap log bechara aaj mujhse keh raha tha k agar kuch din aur mera shadi na karwaya to mein ladki bhaga k shadi karunga

Ye sun k niwala vickas k gale mein phas jata hai aur who khansne lagta hai , sneha pani ka glass usko deti hai , vickas pani peene k bad kehta hai

Vicky :-abe mein ne kab kaha ye ??

Sam :-mazaq kar raha hu aunty mein seriously keh raha hu iski age nikalti jaa rahi hai aur dusri baat ye aur naziya aik dusre ko pasand karte hai to phir inki shadi kyu nahi kara dete ap log

V . Mom :-hum to baat karne jane hi wale the pata nahi kaha se aa gayi tumhari mom aur mahrosh ka rishta mangne k liye kaha humey , ab hum bhi soch rahe hai k naziya k rishte ki baat karein ..

Sam :-haan aunty bs thoda jaldi kariye ga kyu k 3 weeks baad hum jaa rahe hai

V . Mom :-acha beta hum koshish karenge jaldi shadi karane ki iske chutti bhi khatam ho rahe hai is mahine k aakhir mein to jaldi se isbaar iski shadi karani padhegi ..

Aise hi baatein karte karte dinner karte hai sab , aur thodi dair baat karne k baad sam aur sneha bhi chale jate hai kyu k dono kafi thake hue the , to Vicky ko kal ane ka keh k chale jate hai aur ghar pohonchte hi sam washroom mein jata hai aur apne kapde change kar ke aik short pent pehn k bahir ata hai , phir sneha bhi apne kapde change kar night suit pehn k bahir ati hai phir dono aik bed pe aik dusre k baahon mein so jate hai ..
 
There can only be one king.
Moderator
3,936
6,702
143
Update 77

phir sneha bhi apne kapde change kar night suit pehn k bahir ati hai phir dono aik bed pe aik dusre k baahon mein so jate hai ..

Subah Vicky jaldi jaagta hai kyu k woh soldier hai aur unka routine to alag hi hota hai , apne mom se keh sam aur sneha k liye bhi breakfast banwata hai , breakfast le k sam ki taraf jata hai , thodi dair mein sam k ghar pohonchta hai gadi park kar ke andar jata hai kyu k aik key sam ne usey bhi diya tha , andar ja ke aik room mein dekhta hai to pata hai k sam shirtless so raha hai aur sneha uske kandhe pe sar rakh ke so rahi hai dono aik dusre ko zor se hug kiya hua hai , Vicky thodi dair unko dekhta hai phir dono ko jagata hai aur jaldi se fresh ho k bahr ane ka keh ke khud breakfast table pe lagata hai aur plates nikalta hai ..

Thodi dair mein sam aur sneha bhi ready ho ke aa jate hai , sam breakfast dekh ke kehta hai

Sam :-wow aaj to mera fav. Breakfast hai , waise aunty se thoda kam kaam karwaya karo yar iski kya zaroorat thi hum bahir kar lete na ..

Vicky :-chup chap kha ziada nakhre na kar, aur ye bata aaj ka kya programe hai ??

Sam :-aaj ka kuch khas nahi , break fast k bad pehle shahid uncle ( saima’s dad ) se milne jayenge uske baad zoo phir lunch k baad movie dekhne jayenge aur sham ko wapis ayenge dinner yehi mangwa lenge, kaisa ?? ..Vicky :-theek hai , waise out of city bhi jaoge ya nahi ?

Sam :-haan jayenge yar kal ya parson murree jate hai tum bhi ana sath maza ayega ..

Vicky :-haan mere moon ki baat chheen li mein bhi yehi kehne wala tha ..

Phir aise hi baatein karte karte breakfast karte hai , breakfast k baad phir teeno ghar ko lock kar ke bahir jate hai aur sam k BMW mein shahid uncle k ghar ki taraf nikal jate hai ,thodi hi dair mein waha pohonch jate hai , gadi park kar ke teeno andar jate hai who log breakfast kar rahe the sam ko dekh k shahid uncle khade hote hai aur uske pas aa ke zor se usko gale lagata hai aur thodi dair mein alag ho ke kehta hai

Shahid :-mujhe pata tha mere shair ko kuch nahi hua hoga who itna kamzor thodi hi hai k aise hi mar jaye ..

Sam :-jee uncle itni jaldi mein nahi chorhne wala aap logo ka peecha ..

Phir sam saima k mom aur naziya se milta hai phir sab se kehta hai

Sam :-( sneha ki taraf ishara kar ke ) inse milo ye mere gudiya meri jan sneha ..

Phir teeno thodi dair unse baatein karte hai aur phir ijazat le ke bahira jate hai , sam ne note kiya k naziya sam aur Vicky ko aik sath dekh k hairan thi , aur pura tym Vicky aur naziya aik dusre ko dekhte rahe ye baat naziya ki mom ne bhi note tab sam ne jaldi nikalna theek samjha , bahir aa ke teeno gadi mein beth jate hai, sam drive karta hai tabhi sneha Vicky se kehti hai

Sneha :-Vicky bhaiyya to who thi humari bhaabi ??

Vicky :-kon ??

Sneha :-who jisko aap ghoor rahe the aur jo aap ko ghoor rahi thi ....

Vicky :-hahaha badi chalak ho gudya tum to .. haan wohi hai tumhari bhaabi ..

Sneha :-boht cute hai aap dono ki jorhi best rahegi ..

Aisi hi baatein karte karte zoo pohonch jate hai , phir dopeher tak zoo mein ghoomte phirte hai , phir lunch k liye aik restaurant pe jate hai , lunch kar hi rahe the k tabhi Vicky ka phone bajta hai , Vicky phone dekh k kehta hai

Vicky :-ye tumhare dad mujhe kyu call kar rahe hai ??

Sam :-mere bare mein pooch rahe honge bolna mujhe pata nahi hai ..

Vicky ok bol k phone uthata hai aur yehi bol deta hai phir call cut kar ke sam se kehta hai

Vicky :-waise aik baat tujhse poochna tha

Sam :-haan pooch??

Vicky :-sher khan k behn ka kya mamla hai ?? iske bare mein me ne kabhi suna nahi ??

Sam :-bataunga magar abhi nahi sneha hai sath ..

Phir lunch karne k baad teenon movie dekhne jate hai , FAN movie lagi thi Shahrukh khan , movie dekhne k baad teenon thoda city ghoomte hai phir sham ko ghar aa jate hai , ghar aa ke fresh ho ke sam

London call karta hai aur thodi dair baat kar ke jab call cut karta hai to nana g ka phone ata haiphir usse baatein karte karte dinner ka tym ho jata hai , phir call cut kar ke sam 2 3 pizza order karta hai Thodi dair mein pizza pohonch jate hai phir dinner kar ke lounge mein hi beth k tv dekh rahe the teenon tabhi gate pe knock hota hai , sam sochta hai abhi kon aya hoga phir usey yad ata hai k dopeher ko uske dad ne Vicky ko call kiya tha shayad who log aa gaye honge , sam jane hi wala tha k Vicky jaa ke gate kholta hai to pata hai mahrosh, ahmer aur saima aye hue hai …

Teeno andar ate hai sam khada ho ke unse milta hai , phir sab lounge mein sofon par beth jate hai, ahmer sam se kehta hai

Ahmer :-kal bhi hum aye the tere liye khana le k tum gaye kaha the aur aaj dopeher ko bhi aye the aik to tera number humare pas nahi hai to contact hi nahi ho pata hai ..

Sam :-bhai bs thoda busy tha , sneha ko city ghumane mein ..

Ahmer :-hmm to ghuma liya city ab agar free ho to thoda tym humey bhi do yar hum bhi kuch lagte hai tumhare

Sam :-arey bhai aap ke liye to tym hi tym hai mere pas ..

Ahmer :-haan pata hai kitna tym hai , pehle ye bata ye ghar kis ka hai aur bahar mom ka nam laga k boht acha kiya hai

Sam :-mein ne nahi lagaya hai nana g ne lagaya hai aur ye ghar unhi ka hai

Ahmer :-what humare nana bhi hai ??

Sam :-nahi mom aasman se tapki thi ..

Ahmer :-faale who nahi keh raha tha who aaj tak humse milne kyu nahi ate the aur ab kaha se aa gaye hai ..

Sam phir unko shuru se lekar akhir tak sab batata hai k kaise sam usse mila aur kya kya hua sab kuch batata hai , phir saima kehti hai

Saima :-matlb ab tum ghar nahi aaoge yehi rahoge jab tak jate nahi ??

Sam :-jee yehi rahunga jane tak , jane tak kya parson jaa rahe hai hum log murree to 2 3 din wahi guzaar k wapis ayenge tab tak Vicky k shadi ka bhi kuch done hoga to iske shadi k baad chala jaunga ..

Saima :-vickaas se Vicky kab hua ye aur tum dono mein itni dosti kaise hui

Vicky :-baji kya kahu mujhe sam pe taras aa gaya 2 hi dost the iske dono bewafa nikle to ye akela reh gaya tha mujhe hi isse dosti karni padi ..

Saima :-hmm waise sahi kiya aik dost ko to pehle hi gawa betha hai , mahrosh ko ..

Sam waha un ke beech maujood to tha magar kisi aur sochon mein gum tha who mahrosh ko dekh k soch raha tha k ye sab uske wajah se hi hua hai , who bhi mahrosh se itna pyar karta hai phir usey batata kyu nahi , phir uske dimaagh mein ye soch ata hai k nahi agar ye baat bahir pata chali to bawal khadi ho jayegi , sam inhi sochon mein gum tha k ahmer ne kaha

Ahmer :-sam sneha ko room mein sula k aao who so gayi hai yehi

Sam chup chap sneha ko gaud mein uthata hai aur room mein le jaa ke bed pe sula k khud bahir ata hai , aur wapis sab k pas aake beth jata hai , to ahmer thoda serious ho ke poochta hai

Ahmer :-aik baat batao sam tumhare aur mahrosh k beech kya chal raha hai

Ye sun k sam ki to phat k hath mein aa jati hai , sam thoda darte hue kehta hai

Sam :-kya matb ??? kya chal raha hai ?? kuch bhi to nahi chal raha ??

Ahmer :-phir na tum isse baat karte ho na isse mile ho , akhir ye sab kyu ??

Sam :-bhai plzkuch aur baat karo agar ye sab janna hai to isse khud poocho bata degi ..

Ahmer :-kab tak bhagoge sam sachai se akhir aik na aik din is sachai ko tumhe accept karna hi padhega..Sam ko kuch samajh nahi aya k ahmer ne aisa kyu kaha , sam ne kaha

Sam :-matlb samjha nahi aap kya kehna chahte hai ???

Ahmer :-boht jald samajh jaoge , waise Vicky shadi kisse kar raha hai

Sam :-abhi tak done nahi hua hai kal raat ko iski mom keh rahi thi k naziya k rishte ki baat karegi

Saima :-tumhe lagta hai who maan jayenge

Sam :-saima mein ne dekh liya hai Vicky kafi badal gaya hai aur isse bhi zaroori baat ye k ye dono aik dusre ko pasand karte hai , uncle aunty ko samajhna chahiye in ke pyaar ko ..

Saima :-mom shayad maan jaye magar dad ka mushkil hai who nahi manenge kyu k tum ne unke samne Vicky k boht se baatein bahir nikale the ..

Vicky :-aaj aik baat aap logo ko mein batata hu , sab kehte hai k school se mujhe rape attempt karne ki wajah se nikala gaya tha par aisa nahi tha us waqt us ladki ne mujhe khud bulaya tha washroom mein hum dono kissing kar hi rahe the k aik ladke ne humey dekh liye aur usne kaha k mujhe bhi karne do warna principal ko bata dunga tab who ladki apni izzat bachane k liye roti hui principal k pas gayi aur ye kaha k mein ne rape attempt kiya tha aur isi wajah se mujhe school se nikal diya gya ..

Ahmer :-its ok yar hota hai aisa , ab tum badal gaye ho ye hum sab ko pata hai , so tension mat lo hum bhi uncle ko manane ki koshishkarenge .. waise sam akele tum teeno murree ja rahe ho bhai ye to na insafi ho gayi teri wajah se hum kahi ja nahi paye shadi k bad ab tu aa gaya hai to akele ja raha hai ..Sam :-mein ne to nahi roka tha aap logo ko kahi jane se , abhi hum ja rahe hai to humara programe to spoil na karo...

Ahmer ko pata tha k sam mazaq kar raha hai isliye who bhi jhoota ghussa dikhate hue kehta hai

Ahmer :-matlb hum ayenge to tumhara programe spoil ho ga haan ???

Sam :-nahi aap k sath jo jo ayenge unki wajah se programe spoil ho jayega ..

Ye sam thoda serious ho ke kehta hai , mahrosh samajh jati hai k sam ka ishara uski taraf hai ye sun k hi uske aankhon mein aansoo aa jate hai aur who khadi ho ke kehti hai

Mahrosh :-chalo bhai chalte isse ziada mujhe yaha nahi rehna ..

Ahmer :-itni jaldi kaha ja rahe ho beth jao na ghar se to tum hi zid kar ke aye the k jaldi nahi ayenge ab kya hua sam mazaq kar raha hai ,( sam se ) hai na sam tum mazaq kar rahe ho na ??

Sam :-aap ko lagta hai mein mazaq kar raha hu

Ye sun ke ahmer khada ho jata hai aur jate jate sam se kehta hai

Ahmer :-sam ye jo tum kar rahe ho na ye tujhe boht mehenga padhega , kab tak bhaagte rahoge sachai se akhir kab tak aik na aik din to accept kar na hi hai sachayi ko tab kahunga mein tujhse ..

Phir ahmer saima aur mahrosh door se bahir hi nikal rahe the k mahrosh ko chakker ate hai aur who gir jati hai girte waqt uski sar ja ke door k pas rakhe hue table pe padhti hai aur who behosh ho jati hai
 
Well-known member
2,506
7,328
143
Yara i am really sorry but isme adultry nahi hai. Ye complete story hai 5 saal purani. Aur mere incest stories me adultry nahi hota, kyunke me thoda different karne ki koshish karta hu. Incest ko bina sex k as a normal romance k tor pe paish karta hu. Baki adult story bhi pipeline me hai, future me parhne ko milega, sath bane rahe
Mene bhi horror incast likhi he. Par thoda bahot adultery dala. Koi bat nahi. Fir bhi story la jawab he
 
There can only be one king.
Moderator
3,936
6,702
143
Mene bhi horror incast likhi he. Par thoda bahot adultery dala. Koi bat nahi. Fir bhi story la jawab he
Thank u so much for your appreciation.

Baki me aunga aap k story pe aik do din me, aaj kal thoda busy hu to time nahi mil paa rha
 

Top