Update 98
Subah 9 baje Samreen waha aa ke unke door pe knock karta hai .. to sab jaag jate hai .. phir ready ho ke bahir aane ka kehte hai .. sab jaldi se ready hote hai .. aur bahar hall me aate hai .. jahan samreen pehle se bethi hoti hai .. Sab unke sath table pe beth jaate hai .. aur Breakfast order karte hai .. jab breakfast aata hai to breakfast karte hue vicky Samreen se poochta hai
Vicky :-To baat ki mam aap ne ? Permission mil gayi Castle mein jaane ki ?
Samreen :-ji bilkul baat ho gayi .. Aur permission bhi mil gayi .. Abhi se lekar 12 baje tak waha reh sakte hai .. aur 12 baje k baad jana hai kyu k koi minister aa rahe hai Ruler se milne ..
Vicky :-Ok phir breakfast karte hi nikalte hai ..
Phir breakfast k baad sab bahir ate hai .. Aur sam k gadi me beth jaate hai .. Samreen apne gadi me bethti hai .. aur drive karte hue aage aage jati hai .. Aur peeche peeche sam drive karte hue jaa raha hota hai .. Phir 15 20 min mein hi castle pohonch jate hai ..
Kuch der Samreen waha k secuirety guard se baat karti hai .. to andar jane ki permission milti hai .. Phir gadiyan le k hi andar jaate hai .. aur Sidha palace k main gate se enter kar ke parking me khadi karte hai .
Gadi se utar k dekhte haiparking k samne hi .. Purane zamane k 10 15 topein rakhe hue the .. Sab unko dekh rahe the .. Samreen kehti hai
Samreen :-Ye 100 200 saal purani topein hai .. Ye yaha k ruler ko Angrezon ne diye the .. Jab badshahaat k liye 2 bhai aik dusre se lade the.. Ab chalte hai andar pehle ruler se milte hai .. phir pura castle dikhati hu mein tum sab ko ..
Sam :-Waise yaha k ruler ko kya kaha jaata hai .. I mean Dir wagher k rulers ko khan , Nawab kehte the .. aur yaha k ruler ko kya kaha jata hai ..
Samreen :-Chitrali language me yaha k ruler ko Metar kehte hai .. Magar Urdu me Mehtar kehte hai ..
Sam :-Hmm ok .. Kya woh humse milenge yaha k ruler hone k bawjood ..
Samreen :-Hih .. Yaha ka Ruling state kab ka khatam ho gaya hai .. Ab to bs naam k hi mehtar reh gaye hai ..
Sam :-acha phir theek hai ..
Phir Samreen unko le ke andar jane lagti hai .. Ajeeb se raste the .. Aur andher bhi tha .. Chhat pe Bads ne ghar banaya hua tha .. Kher un raston se guzar ke aik Sehen me aye sab .. Andar aik bada sa ghar tha jo purane zamane ka tha .. magar modern daur k gharon se bhi ziada khubsurat ..
Aur aik taraf Aik boht hi bade aur purane darakht k neeche Aik boht bada sa table type kuch bana hua tha .. aur uspe aik aadmi bethe hue the.. jiska age dekhne se 65 to 70 lag raha tha .. Ankhon me nazar k chashme lagaye bethe the .. uske sath hi kursi laga k kuch log bethe hue the .. Door se us taraf jate hue sam samreen se poochta hai
Sam :-Mam woh admi jis cheez pe bethe hue hai .. woh kya cheez hai .. Usko kya kehte hai
Samreen :-Usey chitrali zaban mein Takht kehte hai .. Ye sirf
Mehtar k liye hi banaya jata hai .. aur waha pe sirf mehtar hi bethta hai.. Aur koi nahi beth sakta .. phir sab waha pohonch jate hai Mehtar k paas .. Mehtar unhein dekh k apne paas bethe hue aadmiyon ko ishara karta hai .. Jiske baad woh uth k chale jate hai .. Phir unko bethne ka kehte hai .. Sab beth jate hai .. Samreen unse chitrali zabaan me kuch kehti hai .. Jiske baad woh smile karte hue sab se kehte hai
Mehtar :-Welcome to my Castle youngsters .. Kaisa laga chitral aur kaha kaha ghoome ho ..
Sam :-Thank you Mehtar sahab .. Hum 2 din pehle aye the aur pehle Bambaret gaye .. Jahan pe festivaltha .. aur kal Garam chashma gaye .. Aaj humne Samreen mam se baat kiya k humey castle dikhaye to ye humey yaha le aye ..
Mehtar :-Bataya nahi k humara chitral kaisa laga tum logon ko ..
Sam :-Mehtar sahab sach kahu .. to agar zameen me koi jannat hai.. to hum isey hi kahenge .. Boht hi ziada khubsurat jagah hai ..
Mehtar unki baat sun k qehqeha laga k haste hai .. aur kehte hai
Mehtar :-Agar tum in do jagahon ko dekh k hi isey jannat keh rahe ho .. to baqi k jagahon ko dekhoge to shayad yaha se wapis jaoge hi nahi .. Mein khud to tumhein ghuma nahi sakta but mein apne kisi relative ko bol dunga .. k tumhein sara chitral ghumaye ..
Sam :-Arey nahi mehtar sahab aap ko takleef karne ki zaroorat nahi hai .. Hum kal yaha se nikal rahe hai .. Aaj yaha se jane k baad ( pahadh ki taraf ishara kar ke ) Waha jayenge .. Suna hai woh boht khubsurat jagah hai .. aur aik royal castle waha bhi hai ..
Mehtar :-Ji bilkul hai janab .. Mein baat karunga woh bhi visit kar lena .. Tum log humare mehman ho .. Yaha se jao to khushi khushi jao ..
Sam :-Hmm thank you very much mehtar sahab for all this ..
Mehtar :-You wellcome my boy .. Abhi tak tum logon ne apna intro nahi diya mujhe ..
Phir aik aik kar ke sab apne bare mein unhein batate hai .. Jiske baad mehtar kuch der unhein dekhta hai .. aur kehta hai
Mehtar :-To Mr. sam kya sab baatein tumhi karte ho .. Ye log baatein nahi karte ?
Vicky :-Nahi mehtar sahab bs aap ko dekh k thoda dar gaye
hai .. Kahi hum kuch kahein aur aap ko bura lagega to .. Isliye hum chup bethe hai ..
Mehtar :-Aisi koi baat nahi hai beta .. Mujhe pata hai tum sab ache gharon se ho .. achi family se ho .. to aisi baat kyu bolenge k mujhe bura lagega .. Befikar baat karo
Vicky :-Acha Mehtar sahab mein ne kahi padha tha k .. Chitral k mehtar ko His Highness ka khitaab mila tha British ki taraf se .. Kya woh aap the ?
Mehtar :-Ji bilkul mila tha .. Magar woh mein nahi tha .. woh mere father the jinko ye khitaab mila tha ..
Sam :-HH ye wahi khitaab hai na jo pure world me sirf 5 ya 6 logon ko mila hai ?
Mehtar :-Ji bilkul .. Ye wahi khitaab hai ..
Mahrosh :-Acha mehtar uncle aap ne kabhi jung kiya hai ?
Mahrosh k is masumiyat aur masumiyat bhare sawal pe woh muskura padhte hai .. aur kehte hai
Mehtar :-Ji beti bilkul mein ne jung ladi hai .. Aur bata du mein 12 saal ki umar me Mehtar bana tha ..
Ye sun ke sab hairan hote hai .. K itni chhoti umar me Ruler bane the .. aur ab tak hai .. Sam Hairan hote hue poochta hai
Sam :-Itni chhoti umar me aap ruler bane .. Kisi ne aap se saltanat cheenne ki koshish nahi ki .. i mean aap ke cuzns .. Mein to suna hai k Saltanat k liye Bhai bhai se ladhta tha .. aur baap bete se .. aur cuzns to aksar ghaddar hi hote the is maamle mein ..
Mehtar :-Kafi information hai tumhare paas .. haan ye sach hai k Saltanat k liye yehi sab hota hai .. Aur agar humari history padhi jaye to aise boht se waqiyat milenge .. Jiinme bhai ne apne bhai ko mara hoga mehtar banne k liye .. Ya jung kiya hoga .. Magar har bhai ya har beta aisa nahi hota .. aur jab meri bari ayi to aisa koi nahi tha jo baghawat karta .. Saltanat k liye ..
Mahrosh :-Acha phir aap ne jung kis ke sath kiya ?
Mehtar :-woh jung baad me hua .. aur mein apne hi relative k fauj se kiya tha .. Jisme mera support british ne bhi kiya tha .. Ab tum log jao aur castle ghumo .. agar mere paas bethe rahe to mein chup nahi rahunga .. apne qisse kahaniyan suna suna k tum logon ko bore karunga .. aur tum logon k pas time nahi bachega ghoomne ka .. Aur haan Lunch yehi kar ke jana ..
Phir Samreen unko le k waha se jati hai .. unke sath aik aadmi aur ata hai jo waha kam karta tha .. Pehle unko le k woh aik room mein jaata hai.. ye aik bada sa hall tha .. Aur samne dewaar pe Cheetah ka khaal latka hua tha .. Aur dusri taraf dewaar pe Royal Family k Sabhi Rulers k tasweer lage hue the .. Naam k sath .. Usko dekhne k baad waha se aik aur room me jaate hai ..
Ye room boht ajeeb tha .. Kyu ke is room ke dewaaron pe Hiran , Markhor , aur is tarah k kahi aur janwaron k sar lage hue the.. Aur unke neeche Unko marne wale ruler ka nam aur date waghera likha hua tha .. Ye kamra inhi sab se bhara hua tha ..
Phir aik dusre room mein jate hai waha se .. Ye boht bada hall tba .. Aur isme kuch 10 12 bade bade aur boht hi aala design k .. Magar boht purane sofe lage hue the .. In sofon k uper Rulers k tasweer lage hue the with names .. aur sofon k uper in rulers k jung k kapde rakhte the .. aur sofe ke samne Talwaar , shield aur teer waghera rakhe hue the .. Phir us room se nikalne k baad Samreen kehti hai
Samreen :-Abhi mein tum logon ko woh cheezein dikhaungi ..
Jo boht hi kam logon ne dekhe hai yaha aake .. Ye jo tum logon ne dekhe hai ye bhi koi aam log nahi dekh sakte .. Magar bade log ho to dekh sakte hai .. Magar jo cheez mein abhi tum logon ko dikhane wali hu .. ye aaj tak boht kam logon ne dekhe hai .. Mein ne khud aik baar dekhi hai ..
Phir samreen unko le k aik room me jati hai .. Room mein jate hi sab k paseene chhoot jate hai .. Kyu k Samne 2 Cheetah bethe hue unhein dekh rahe the .. Unko dekhte hi sab ki dar se mare bura haal hota hai .. Tabhi samreen unki taraf dekhte hue hans ke kehti hai
Samreen :-Darne ki zaroorat nahi hai .. Ye zinda nahi hai ..
Saima :-Kya matlab zinda nahi hai .. Humari taraf dekh to rahe hain ..
Samreen :-agar zinda hote to .. hum yaha zinda khade na hote .. woh mar chuke hai magar unke khaalon k andar bhoose bhar k aisa banaya hua hai ,.. k woh real lagte hai ..
Waqi me unko dekhne se asli cheetah lagte hai .. Banane wale ne bhi bada kamaal kiya hai .. Kisi bhi angle se woh murda nahi lag rahe the .. Aisa lag raha tha jaise woh bethe hai aur abhi uth k ayenge aur sab ko khayenge .. Sam kehta hai
Sam :-Kamaal ka kam kiya hai banane wale ne.. zabardast kam kiya hai ..
Aur sam darte darte aage jata hai unko chhoone k liye .. Ab bhi usey thoda dar lag raha tha k woh asli honge .. Kher unke pasjaa ke araam se chho ke dekhta hai .. Phir sab aa ke unhein chhoote hai .. Samreen unhein bataati hai
Samreen :-Jis cheetah ki khaal pehle room me tha .. Usko Aala Hazrat Mehtar ne mara tha .. Jo is family ka sab se pehla ruler tha .. Jab woh shikar k liye gaya tha tab jab woh cheetah unpe hamla kiya .. to unke sath ane wale sabhi bhaag gaye the .. Tab woh usse ladh k akhir me us cheetah ko maar diya tha.. aur uske baad unhein isme itna maza aya k .. Unhon ne 2 aur mar diye baad mein .. jo ye dono hai ..
Sab ghor se sun rahe the unki baat .. Magar kisi ko is baat pe yaqeen nahi aya .. k k koi aadmi kisi cheetah se ladh k usko hara de .. ye possible bhi ho sakta hai kabhi .. Kher shayad Samreen samajh gayi thi .. Usne khud kaha
Samreen :-Mujhe pata hai tum logon ko yaqeen nai aya mere baat pe .. Kisi ko nahi ayega .. magar ye sach hai .. Us zamane k log bhi aise hi taqatwar the .. Tum logon ne aala hazrat ki tasweer dekhi hi nahi hai .. Agar dekhte to yaqeen ho jata .. mein ne bhi nahi dekhi .. kyu k unki koi tasweer hai hi nahi .. magar mein ne suna hai unki height 7 feet k qareeb thi .. aur hatta katta jism tha .. Tabhi to woh yaha k ruler ko hara k Mehtar bane the ..
Sam :-Hmm Phir un logon ka kya hua .. Jinhon ne unhein Akela choda tha .. jab Cheetah ne hamla kiya tab ?
Samreen :-un sab ko jaan se mar dya tha unhon ne ,.. Kyu k kisi ne unhein bataya k ye sab plan k tehet hua tha .. unko marwane k liye hi waha le gaye the ..
Sam :-Hmm interesting ..
Phir samreen us room se nikal kar bahir ati hai .. aur under ground raste pe jane lagti hai .. Yaha boht hi ziada andhera tha .. Aur 3 4 rooms the .. jab phone ki light on kar ke dekha andar to pata chala .. K ye jail type kuch hai .. Kyu k zanjeer waghera latke hue the waha .. aur salaakhein bani hui thi .. Samreen unhein batati hai
Samreen :-Ye aik taraf se jail hai .. Jin logon ko saza e maut sunayi jati thi .. Unko laa ke yaha zanjeeron bandh diya jata tha .. aur uper se yaha ane ka gate band kiya jata .. 2 3 din me jab woh mar jata bhook pyas ki wajah se .. to usey nikal kar uske rishte daron k hawale kiya jata ..
Sam :-Acha to yaha phansee ka koi system nahi tha ?
Samreen :-Bilkul tha .. is castle k andar hi aik ground hai .. Jiske beech me laa ke phansee dete the .. Phansee unhi logon ko di jati thi jinka jaldi marna zaroori ho ..
Phir samreen unko le k waha se bahir ati hai .. aur Sipahiyon aur bodyguards k rooms unhein dikhati hai us zamaane k .. Isi tarah dopeher tak purai castle ghumati hai unhein .. Naziya camera se tasweerein le rahi thi .. Har jagah ki tasweer jaha jate the .. Dopeher ko unhein Mehtar sahab hall me bulate hai lunch k liye ..