Incest Aashiqui 1 (A Pure Love Story) (completed)

There can only be one king.
Moderator
3,452
6,270
143
Update 64

Dusri taraf ahmer apne mom dad aur saima k sath hospital mein tha jab usne sam ko call kiya tha goliyon ki awaz sun k uske cheekhne aur pareshan hone ki wajah sesab ghabra gaye the , phone uske hath se neeche gir jata hai jab sam koi reply nahi deta aur who khud bhi neeche gir k rone lag jata , saima usko sambhalne ki koshish karte hue poochti hai

Saima :-ahmer kya hua batao to sahi sam ko kuch hua kya plz batao na mera dil boht ghabra raha hai

Magar ahmer kuch nahi kehta apne bhai ko khone k ghum mein aansoo baha raha tha , kafi der baad jab uske aanso ruke to sam k dad ne poocha

Dad :-kya hua beta sam ko kuch hua kya plz batao to sahi

Ahmer :-dad who sam dad sam ko kisi ne goli mar diya hai

Aur ye keh k apne dad k gale lag k rone lagta hai , magar uske dad usko dilasa deta hai k sam ko kuch nahi hoga , aur phir sam k mom ko hospital mein chorh k sab nikal jate hai sam ko dhoondne 10 min mein hi us jagah pohonch jate hai jaha sam ki gadi khadi hoti hai , sam dad aur ahmer dodhte hue gadi k pas jate hai magar sam waha nahi hota hai , gadi wahi khadi thi aur gadi k samne khoon tha aur thodi doori per sam ka kutta padha tha ..aur sam ka phone wahi gira hua tha .. sam ko paglon ki tarah idhar udhar dhoondte hai magar sam nahi milta .. Vickas sam k kutte k pas jaa ke dekhta hai to pata hai who zinda hai thoda sa hil raha tha aur uske moon se ghuti ghuti si awazein nikal rahi thi .. vickas usko siddha hospital le jata hai jab sam nahi milta to.

Sam k dad apna pura taqat laga rahe the sam ko dhoondne k liye , sari raat police sam ko dhoondti rahi magar nakam ho gaye sam ka kahi naam o nishan tak na tha , sam k family ki halat bad se badtar hoti ja rahi thi aik taraf mahrosh behosh padi thi aur dusri taraf sam ko kisi ne goli mar diya tha aur sam ka koi pata nahi tha , dusre din bhi dopeher tak police sam ko dhoondne k baad jab nakam hua to , DCP ne sam k dad se kaha
DCP :-sir jaisa aap ne kaha tha aap k bête ko goli lagi thi to khud chal k jana na mumkin hai aur agar koi usey waha se le gaya hota to ab tak pata chal jata magar humne city k har hospital check kiya sameer ka kahi kuch pata nahi chal raha hai , ab sirf aik hi jagah reh gaya hai , who hai jungle kyu k jaha ye hadsa hua hai us road k dono taraf ghane jungle hai to shayad …

Dad :-kya matlb hai tumhara ? kya kehna chahte ho ?? ACP :-sir aap bhi goli lagne k ziada se ziada 30 min mein waha pohonche hai , to 30 min mein sameer ko koi le ja nai saktawaha se , jungle janwaro k ilawa , hum jungle mein search karenge shayad koi surakh mil jaye ..

Iske baad DCP kuch nahi kehta aur chala jata hai, saima ki family bhi boht pareshan the sam k liye, jab ye baat shera ko pata chalta hai to who bhi toot jata hai aur apne tareeqe se investigation shuru karta hai, jab 2 din guzarne k baad bhi sam ka kuch pata nahi chalta to sab samajh jate hai k sam mar chukka hai, magar ahmer ko yaqeen nahi aaraha tha k us ka bhai, uska jigr aise mar sakta hai, usey yaqeen tha k sam zinda hoga..
2 din baad jab mahrosh theek hui to uske paas saima bethi hui thi saima k aankhein laal ho chuki thi rone ki wajah se , mahrosh saima se poochti hai

Mahrosh :-baji aap ro kyu rahe hai , aap ke aankhein ktni laal ho chuki hai ?

Saima jhoot bolte hue kehti hai

Saima :-tumhe goli lagi thin a tumhri condition kafi kharab thi isliye rone ki wajah se aankhein laal ho gayi aur thodi na sone ki wajah se bhi ..

Mahrosh :-acha Baji sam bhaiya nahi aye mujhse milne ??

Ye sun k saima k aankhon mein aansoo aa jate hai , who apne aansoo ponchti hai aur kehti hai
Saima :-who ayatha tumse milne pehle din hi , magar usey aik bade company se interview k liye call aya to us wajah se wapis London chala gaya hai magar interview k baad wapis ayega

Mahrosh :-mujhe pata hai Baji who wapis nahi ayenge ?? who humey chorh kar chala gaya hai
Saima dheere se kehti hai

Saima :-haan ab who kabhi wapas nahi aa payega ..

Mahrosh :-baji aap ne kuch kaha ?

Saima kuch kehti usse pehle hi doctor routine chek up k liye ati hai Isi tarah 2 weeks guzar jate hai , mahrosh ko bhi discharge kar diya ja chukka tha , aur who ghar aa chuki thi , ghar ka mahol kafi badal gaya tha , sab chup chup rehne lag gaye the , ye baat mahrosh ko boht ajeeb lag rahi thi , abhi tak mahrosh ko sam k bare mein kisi ne nahi bataya tha ..

Udher London mein sidharth aur soniya pagal ho rahe the sam se baat na hone ki wajah se jab 2 din tak sam se baat na hui to unhon ne akhir kar landline pe call kar hi liya , aur jab unko sam k bare mein bataya gaya to unki bhi halat boht kharab ho gayi , thi unko lag raha tha k sam k family walon ne hi sam ko marwaya hai , magar who log kuch nahi kar sakte the ..

Us din k baad sab k life disturb ho gaya tha city mein bhi sab ko pata chal gaya tha k B.S ab mar chukka hai ,uske chahne wale is baat pe dukhi the to usse nafrat karnewale khush the ..

Shera apna jee jan laga raha tha din raat aik karne k baad bhi usko koi clue nahi milta k sam zinda hai k nahi aur agar mar chukka hai to uske dead body ka kya hua , akhir kar usne bhi accept kar liya k sam ab un ko chorh kar jaa chukka hai …

Sulaiman ko bhi discharge kar diya ja chukka tha , who bhi kafi had tak theek ho chukka tha , usko bhi sam k bare mein pata chal chukka tha aur who din raat apne bhai jaise dost k liye rota rehta than a kuch kha raha tha aur na ksi se bat karta tha …
 
expectations
22,973
14,977

Aapko rebo kal diya jayega :d
 
There can only be one king.
Moderator
3,452
6,270
143
Update 65

Kisi koyaqeen nahi ho raha tha k sam mar chukka hai , but is reality ko accept karna tha k sam mar chukka hai , sam k maut k baad 1 month guzar chukka tha , dheere dheere sab normal ho chuke the bs Ahmer aur Sulaiman ko chorh k kyu k ye dono uske sath boht attach the, mahrosh ko abhi tak is bare mein nahi bataya gaya tha ..

Aik din aise hi mahrosh bore ho rahi thi to net pe surfing karte hue usey khayal aya k kyu na sam k id pe uske pics dekhe jaye aur yehi soch k jab mahrosh sam k profile pe jati hai to usey boht bada jhatka lagta hai , kyu k sam k wall pe hazaron post the like “ god bless you B.S “ , “ RIP sam “ etc … mahrosh apna Ipad utha k sidha ahmer k room mein jati hai uske dil ki dhadhkanen kafi tez ho chuki thi , who ahmer ko I pad dikha k poochti hai

Mahrosh :-bhai ye sab kya , sam bhai k wall pe sab aise post kyu kar rahe

Uske aankhone mein aansoo the , ye sun k ahmer k bhi aankhon mein aansoo aa jate hai , ahmer sochta hai k kab tak isse chupate rahenge kabhi na kabhi to batana hi hai so abhi hisahi

Ahmer :-haan ye sach hai mahrosh , sam humey chorh kar jaa chukka hai , he was....

Ahmer apna jumla pura karta usse pehle hi mahrosh neeche gir jati hai , ye sun k mahrosh behosh ho chuki thi , ahmer jaldi sepani uske moon pe chidhakta hai aur usey hosh mein lata hai , hosh mein ate hi mahrosh ahmer k gale lag k rone lag jati hai , uske sath ahmer bhi ro raha tha ..

Thodi dair baad mahrosh ahmer se poochti hai k ye sab kaise hua , to ahmer shuru se usey sab batata hai jisse sunne k baad who aur bhi rone lag jati hai ..

Mahrosh apne kismet per o rahi thi k kya kismet hai uski jab uska bhai usse dilo jan se pyaar karta tha to khud usey apne se door kar diya zaleel o ruswa kar kea b jab usne apne pyaar ka izhar kiya to sam usey chorh ka raise chala gaya k dubara kabhi chah kar bhi laut nahi sakta..

Us dn k baad mahrosh boht badal gayi thin a kisi se baat karti thin a hi kuch khati peeti thi jiski wajah se who boht kamzor padh gayi thi uske aankhon k side on pe kale nishan padh gaye the kamzori ki , Bikhre baal , uski who khubsoorti to kahi ghum hi ho gayi thi , pehle jab sam usey chorh kar London gaya tha to aik umeed thi k who wapis ayega magar ab wapis ane ka koi chance hi nahi tha …

After 2 months

Us haadse ko 2 mahine guzar chuke the ab tak sabnormal ho gaye the , magar mahrosh ko chorh k mahrosh din ba din kamzor padhti jaa rahi thi aura b to pehchan mein bhi nahi aa rahi thi , bikhre baal jo pata nahi kitne dinon se brush nahi kiye hue hai aur aankhon k sideon pe nishan , ye who mahroshthi hi nahi jo pehle hua karti thi …

Aise hi aik din dopeher ko sam k family members lunch karne k baad lounge mein beth k tv dekh rahe the tabhi , sulaiman ki family ghar mein enter hota hai , jinhein dekh k sab ko ajeeb lagta hai kyu k who ziada nahi ate thesam k ghar who bhi aik sath magar aaj aik sath aye the kuch to baat thi , unse salam dua k baad ssab sofe pe beth jate hai to thodi dair baad sam k mom poochti hai

Mom :-aur behn g kaise ana hua waise to aap k pas tym nahi hota humse milne ane k liye

S. ammi :-hum yaha mahrosh ka hath mangne aye hai sulaiman k liye .

Ye baat sun k sab chonk jate hai magar mahrosh chup chap bethi hui thi kyu k who kisi aur hi dunya mein thi , koi kuch kehta usse pehle hi sulaiman kehta hai

Sulaiman :-dekhiye uncle aunty mujhe pata hai k sameer ko faut hue 2 mahina hi guzra hai humey rishta le ke nahi ana chahiye par mahrosh ki halat din ba din kharab hoti ja rahi hai aur who boht kamzor padh chuki hai , so usko sambhaalne k liye kisi ko hona zaroori hai , mein ye nahi kehta k aap log uska khayal nahi rakhte ho , bs usko aise halat mein nahi dekh pata hu , mein mahrosh ko khush dekhna chahta hu isliye usse shadi kar ke isey sambhal lunga kyu k aap logo k baad mein hi sam k sab se qareeb tha aur sam ka bestfriend bhi tha isliye mere sath shayad who ziada khush rahe

Sulaiman k bolne k baad ahmer soch mein padh jata hai k agar sam hota to kya who shadi karata sulaiman Sulaiman k bolne k baad ahmer soch mein padh jata hai k agar sam hota to kya who shadi karata sulaiman se mahrosh ki shadi isi tarah baqi family members bhi yehi soch rahe the , sam k dad kehta hai

Dad :-dekho beta mujhe pata hai tum sam k bestfriend the aur mahrosh ko khush rakhoge , magar phir bhi humey sochne k liye thoda waqt do

Mom :-arey isme sochne wali kya baat hai , isse acha rishta kaha milega ..

Dad :-phir bhi mahrosh ki razamandi bhi zarori hai , dekhein bhai sahab humey thoda waqt dein sochne k liye hum faisla kar k aap ko bata denge ..

Phir thodi dair bethne k baad sulaiman aur uske family waha se chale jate hai to sam k dad uske mom ko dantte hue kehta hai

Dad :-kyat um bhi hamesha jald bazi mein lagi rehti ho mahrosh se bhi poochna padhta shadi uski ho rahi hai tumhari nahi jo bagher pooche hi haan kar rahi thi

Mom :-kya ghalat kiya mein ne sam ka dost hai aur ladka bhi acha agar bura hota to sam usse dosti karta hi nahi aur rahibaat mahrosh ki to who boht choti hai apne faisle khud nahi le sakti

Ahmer :-phir bhi mom itni jaldbazi nahi karni chahiye pehle bhi vickas k tym pe bhi aap ne jaldbazi kiya tha aur nateeja kya nikla aap bhi jante hai , sam ne kya kiya tha

Mom :-haan magar ab sameer mar chukka hai ye mat bhoolo , ab age koi kuch nahi bolega mein unko haan kar deti hu , agle mahine tak shadi ka date rakh lete hai.

Iske baad koi kuch nahi bolta , mahrosh in sab baton se bekhabar sam k sath bitaye hue haseen palon k yaadon mein khoyi hui thi ..
 
Last edited:
There can only be one king.
Moderator
3,452
6,270
143
Update 66

Mom :-haan magar ab sameer mar chukka hai ye mat bhoolo , ab age koi kuch nahi bolega mein unko haan kar deti hu , agle mahine tak shadi ka date rakh lete hai ..

Iske baad koi kuch nahi bolta , mahrosh in sab baton se bekhabar sam k sath bitaye hue haseen palon k yaadon mein khoyi hui thi ..

In London **** Hospital

Sharjeel khan doctor se poochta hai

Sharjeel khan :-Dr Sahil now what is the condition of sameer

Dr Sahil :-Mr khan he has recoverd very well , we will discharge him in 2 or 3 days .. He is now out of Coma .. Is case mein mostly patient ko coma se bahir ane mein 1 ya 2 saal lagta hai .. But sameer is lucky k 3 mahine mein hi coma se bahir aa gaya hai ..

Sharjeel khan :-Thank you very much Dr Sahil jo aap mere kehne pe Tibet se yaha aye ..

Dr Sahil :-Khan sahab bs aap k kehne pe aya hu .. Aap mere father k dost the isliye ..Warna Durrani ko chodh k mein kahi nahi jata ..

Sharjeel khan :-Hmm kon hai ye Durrani ?.. Buiseness ki dunya mein bada naam bana raha hai aaj kal .. suna hai ab woh apna buiseness badha raha hai .. Pakistan aur India mein bhi apna buiseness start kar raha hai ..

Dr Sahil :-Hain aik gumnaam Insan .. Jee bilkul abhi uska plan yehi hai k apna buiseness thoda expend karein .. but isme 1 saal lagega..

Sharjeel Khan :-Hmm great .. Milna chahunga usse .. Kabhi milana usey humse .. waise tumhara uske sath kya relation hai .. Jo usko chodne ko tayyar nahi ??

Dr Sahil :-Khan Sahab sirf mein nehi .. Pura Tibet usey chodhna nahi chahta .. Mein uska personal Dr hu .. Mere ilawa kisi ki baat nahi maanta woh .. Rahi baat usse milne ki to usse milne k liye Tibet aana padhega .. Na woh Tibet chodhta hai aur na Tibet usey chodhta hai

Sharjeel Khan :-hmm interesting .. Ab to milna padhega usse ..

Dr Sahil :-hmm zaroor .. Jab bhi Tibet aye mujhe inform kar dijiyega ..

Sharjeel khan :-ok thanks ..Can i met sameer now ??

Dr Sahil :-yeah sure why not

Sharjeel khan doctor Sahil k cabin se bahir aa ke sam jis room mein tha uski taraf jata hai …

Yupp they were talking about sameer sam the B.S , hua kuch yu tha k sam k aankhein jab dheere dheere band ho rahe the to kuchgadiyan aa ke waha rukti hai aur sharjeel khan aur uske guard sam ko gadi mein daal k airport le gaye the , kyu sharjeel khan ne socha k is city mein sam ki jan ko khatra hai kisi par bhi bharosa nahi kiya ja sakta hai , raat k flight se hi sam ko le k Islamabad pohonch gaye aur sidha usey hospital le gaye , hospital mein sam body se goliyan nikalte hai magar phir bhi sam khatre se bahir nahi tha who coma me jaa chukka tha to usko London refer karte hai , so London mein usk treatment chal rahi thi aur who ab hosh mein aa chukka hai … Sharjeel khan room mein enter hota hai aur sam k pas beth k usse poochta hai

S. khan :-ab kaise ho sameer beta ,

Sam :-theek khan sahab , par aik baa tab bhi mere samajh mein nahi aa raha

S . Khan :-who kya ??

Sam :-mein yaha kaise aya ?? agar aap laye hai to kyu laye ?? aur aap hai kon ?? meri help kyu kar rahe hai aap ??
Sam ghaur se sharjeel khan ki taraf dekh raha tha , sharjeel khan ne bolna shuru kiya

S . Khan :-Aik ladka tha ape maa baap ka ladla aur eklauta , baap k pas betahasha daulat thi jo bhi usne chaha usey mil gaya uske maa baap kitne bhi busy kyu na ho uske liye hamesha tym hota tha unke pas…

Phir who ladka bada hota gaya aur university mein aik ladki se mila aur us ladki ka dewaana ho gaya , who roz chuhupke chhupke us ladki ko dekhta tha , kabhi usse baat karne ki himmat nahi hui ye nahi tha k who ladka handsome nahi tha who bs thoda shy type tha ladkiyon k mamle mein…

Last year k farewell party mein us ladke ne boht himmat kar ke us ladki ko propose kiya aur maze ki baat ye hai k us ladki neuska proposal accept bhi kiya , who ladki kafi middle class se belong karti thi ab us ladke k dil mein ye dar beth gaya k uskeparents accept karenge bhi k nahi , magar usey yaqeen tha k uske parents uske khushi hi dekhenge …

Aisa hi aik din usne apne parents ko us ladki k bare mein bataya , pehle to unhone manah kiya magar kafi samjhane k baad who log maan gaye , aur un dono kishadi karwa diya , un dono mein itna pyar tha k aik dusre k bagher reh hi nahi pate the ..

Phir 1 sal baad unke ghar aik beti ne janam liya , woh dono itne khush the k poocho mat unse bhi ziada us ladke k parents the, us bachi mein unki jaan basti thi unhone uska naam salma rakha ..

Waqt guzarta gaya aur who dono bhi bade ho rahe the magar unke pyar mein koi kami nahi aya tha who ab bhi aik dusre se aise hi pyar karte the , us ladke ke parents guzar gaye the , aur apne father ka buiseness who ladka sambhaalne laga tha ..

Salma schooljane lag gayi thi , who apni maa ki jan thi boht pyar karti thi uski maa usse , uska father bhi karta tha magar ziada show nahi karta tha aur buisseness mein busy hone ki wajah se out of country hi rehta tha , apne buiseness expand karne k chakker mein apne family ko tym nahi de paya , aur pata hi nahi chala kab uski beti ne graduation complete kar liya ..

Salma ne graduation k baad apne father ka buiseness join kiya aur dheere dheere pura buiseness sambhaalne lag gayi thi , uska father out of country hi rehta tha Saudia mein bhi uska aik company tha to who ziada tym saudia mein hi rehta tha ..

Aise hi aik bar salma k company ko boht bada profit hua tha to usne party rakha tha jisme sheher k boht bade bade buiseness men aye hue the , is waqt salma k father saudia mein the ..

Isi party mein salma aik buiseness men k bete se mili Jiska nam tha Saleem khan aur unme dosti ho gayi , aur party k baad bhidono touch mein rehte the phone pe baat karna aur kabhi kabhi milna , is tarah unki dosti pyar mein badal gayi , is baat ki khabar salma k father ko nahi tha , aur unhone salma ki shadi bachpan mein hi apne aik dost k bête se fix kardi thi ..

Jab unko salma k bare mein pata chala to unhone salma ko boht manah kiya magar who nahi mani , to usne salma ko ghar mein band kar diya aur bahir nikalna band kar diya , unko kya pata tha k baat boht age badh chuki hai ..

Aise hi aik din mauqa milte hi salma bhaag gayi ghar se us buiseness men k bête k sath , isse uske parents ko boht dukh hua ,uske bhaagne k gham mein uski maa guzar gayi thi aur uska father bhi dipression mein rehne lag gaya tha kyu na rehta usne apne biwi ko kho diya jissey who dil o jan se muhabbat karta tha aur kabhi usse door reh nahi pata tha aur who bhi us beti k liye jisko unhone boht nazo se pal pos k bada kiya tha , Us beti ne apne kuch mahinon k pyar k liye 25 saal k pyar ko chodh kar chali gay thi .. shadi karne k 23 hafte baad hi salma apne husband k sath wapis ayi apne father se milne ..

Magar uske father ne usse apne sare rishte khatam kardiya aur usey apne jaidad se be dakhal kar diya yani ab uske property mein se salma ko kuch nahi milega ..

Apne father ka usse rishta khatam karne ki wajah se salma ko boht dukh hua aur usse bhi ziada apne maa ko kho dene ki wajah se , salma apne husbandk sath rehne lag gayi tha ..

Salma k father ne pakistan chorh diya tha apna pura buiseness Saudi Arab mein shift kar ke wahi rehne lag gaya tha , kuch saal baad usey pata chala k salma ki aik car accident mein maut ho gayi , jissey sun kar who wapis aya Pakistan , Pakistan ane k baad usko pata chala k salma k 3 bache hai 2 bete aur aik beti , who unse milna chahta tha magar shayad uske dil mein kahi nafrat bhi tha salma aur uske husband k liye isliye who unse milne kabhi gya hi nahi ..

1 sal baad hi salma k husband ne dusri shadi kar li , jiske bare mein sun k usey apni beti k kiye hue ghalti ka khayal aya k who kaise shakhs se pyar karti thi , uske marne k aik sal baad hi usne dusri shadi kar li .. Salma k father wapis saudi arab chale gaye aur wahi rehne lage ..

Sam chup chap uski baatein sun raha tha , kahani khatam hone k baad sharjeel khan k aankhon mein aanso the unko ponnchne k baad thodi dair chup rha aur phir usne kaha

S . Khan :-pata hai salma ka father kon tha ?? aur salma kon thi ??
 
expectations
22,973
14,977
143
Sabse pahle to khusi hui ki Sam jinda mil gaya puri family toot gayi thi ab Sam ko bachane wale ki bhi story yani last update kal ka padhte hain baki bahut dard takleef tha updete me :cry2:
 
Top