Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

There can only be one king.
Moderator
3,406
6,214
143
Mujhe to yeh 2nd heroin lagta hai but kitna dur za payega yeh swaal hai. Yeh sab tujhpar depend karta hai. Well triangle love story ho sakta tha but saira already hai to yeh square love story hoga🤣🤣. Soft corner to start ho gaya. Baki future mai pata chalega. Aur index se mujhe koi lena dena nahi hai, woh tu story complete ke baad bhi de sakta hai new reader ke liye. Personally i dont like that.(cause tu itna time waste karta hai ek story ke piche, keya ham kuch wakt nahi waste kar sakte update dhundne ke liye)

2nd heroine hai ya nahi iska hint to pichle update mein hi tha jo shayad tumne miss kar doya hai :D

Saira ka raaz bhi aane wale updates mein khulega k woh kahan ghayab ho gyi hai :D

Rahi baat index ki to yara kuch readers index se hi parhte hain story. Woh first page pe aa ke index hi dekh k updates parhte hain isliye daily index bhi update karna parhta hai :dost:
 
There can only be one king.
Moderator
3,406
6,214
143
Whh maza aageya update parhh ke...

Aakher thori si hi sahi sk ki jhalak to dekhi...

Aur jis tarhan wo larka gusse mane geya he use dekh ke lagta he ke wo kyo kand kare ga aur hamare purane sk ko pher se jgaae ga....

Entzaar he bhai agle update ka...
:thanks: for your precious comment :dost:

Guess acha hai but kya tumhein lagta hai k shaheer wapas SK banega :D

Keep supporting :hug:
 
There can only be one king.
Moderator
3,406
6,214
143
Mujhe to bhai ye heroine he lagti he ...

Kyon ki jo update parha he us ke hesab se shaheer ko aliya apni si lagti he aur wo roz aliya ko notes bhi kerta he...

Jesa ke story parhi he ke shaheer aur fareeha ke alawa un ka aur koi apna nahi he ...

Aese mane aliya ka shaheer ko apna sa lagna ajeb he ...,.

Aur ek shak jo mujhe he ke ye aliya kahen fareeha he na ho kya pata in do salon mane fareeha ne plastic sarjari na ker wa li ho aur shaheer ke dil mane naye roop mane jaga banana chahti ho....

Barhal baki to aage story mane pata chale he jaye ga...

Entazar agle update ka...
:thanks: for your precious comment :dost:

Koi apna nahi hai, but inke dost boht ziada the if you remember to to dekh lo :D us wajah se bhi apnapan feel ho sakta hai :wink:

Baki rahi baat Aliya k Fareeha hone ki to meine Fareeha ka age i think mention kar liya hai jo AFareeha se chhoti hai :D so lets see kon hai ye Aliya

Keep supporting :hug:
 
expectations
22,821
14,868
143
Update 3

Durrani k is baat k baad waha pe khamoshi chayi rahi. Dono dair raat tak waha peete rahe apne apne ghamo mein doob kar. Raat 2 3 baje dono neeche aate hai, shaheer apne room mein aur durrani guest room me jaa k so jata hai.

Agli subah jab shaheer jaagta hai durrani jaa chuka hota hai. Ye mamul tha uska, wohh weekend pe ata tha Saturday ko, aur Sunday morning hi jata tha jab shaheer so raha hota tha tab.

Khair shaheer nashta karne k baad wapas apne room mein ghus jata hai aur office k kaamo mein lag jata hai. Lunch aur Dinner k liye sirf room se bahar ata hai, uske baad wapas apne room me jata hai. Dinner k baad wapas apne room me jaa k fir drinking start kar deta hai aur raat ko wahi peete peete sofe pe so jata hai.

Agle din subah savere uthta hai aur fresh ho ke office k liye ready hota hai aur nashte k liye neeche ata hai. Nashta ready tha par wohh bas nimbu pani peeta hai thoda taa ke hangover utar jaaye aur nikal jata hai office k liye. Yehi uska routine tha nashte pe sirf juice peeta tha.

Jaise hi office me enter hota hai staff sab aa chuke the, sab usko dekh k khade hote hai aur good morning wish karte hai. Shaheer aik bar hi good morning bol k apne cabin me chala jata hai.

"Waise handsome to boht hai shaheer sir, kya kehti ho Aliya ?" Shaheer ko jaata dekh kar aik female staff apne dost se kehti hai.

"Handsome hone ka kya faida kitna khadoos hai ye bhi to dekho" Aliya apne dost ko jawab deti hai "Theek se Good Morning ka jawab bhi nahi dete hai"

"Tum pata lo na sir ko ache se jawab denge tumhare good morning ka :D" wohh ladki apne dost ko cherhte hue kehti hai

"Bakwas band karo tum nabeela, I am happy with Ahmer" Aliya thoda serious hote hue kehti hai.

"Ahmer k liye to tumhare parents kabhi nahi manne wale, meri mano to sir ko pata lo tumhara faida hai isme" Nabeela aliya ko tang karte hue dubara kehti hai.

"Hello girls" abhi aliya jawab deti tabhi aik ladka waha aata hai "kya baatein ho rahi hai"

Shaheer apne cabin me khada khidki se ye sab dekh rha tha. Usey sunayi nahi de rha tha k waha kya baat ho rhi. Usne notice kiya k us ladke k aane se Aliya thodi uncomfortable ho gayi thi. Khair shaheer ko in sab koi farq nahi parhta who aa ke chair pe bethta hai aur kam karne lagta hai.

Aliya, nabeela aur wohh ladka newly graduates the. Sab ki umar 20 se 22 k beech tha. Unke ilawa 4 5 aur the jo interns the, contract pe the wohh log. 3 mahine baad unmw se 2 3 ko permanent karne wale the office mein. Aliya ko dekh kar pata nahi kyu shaheer ko apnapan feel hota tha, isliye aksar uska dhyaan uski taraf jata tha.

"Yar ye shaheer din ba din kharab hota jaa rha hai" Durrani apne samne bethe Abdul se kehta hai "Mujhse dekha nahi jaa raha uski ye halat"

"Mujhe to nahi lagta kharab ho rha" Abdul ciggaret ki kash laga k jawab deta hai "Bilkul tumhare naqsh e qadam pe chal rha hai, mujhe to chhota durrani lagta hai wohh, khud ko to kharab kar rha per business ko effect hone nahi de rha"

"Yar mera situation alag tha uska alag hai" Durrani gehri soch me khote hue kehta hai "Na mujhe fareeha ko dhoondne ki ijazat de rha na khud dhoond rha, aise to wohh ghut ghut k mar jayega yar"

"Mein to tumhein kab se keh rha hu k usse chhup k dhoondte hai fareeha ko" Abdul ciggarete durrani ko pass karte hue kehta hai "Fareeha se baat kar lenge aur shaheer k bare me sab bata denge, shaheer ko thodi pata chalna hai"

"Nahi yar dokha nahi dena chahta mein shaheer ko" Durrani ciggarete ki aik kash mar k jawab deta hai "Kuch aisa karna parhega k fareeha khud wapas aye"

"Socho fir tum hi, plans banane mein to master ho hi" Abdul uske haath se ciggarete le k kash marte hue kehta hai "Waise tum kuch ziada hi interest nahi le rhe ho uske life me ?"

"Yar pata nahi kyu apna sa lagne laga hai wohh ladka mujhe" Durrani jawab deta hai "usme mujhe apna aks dikhta hai, mein nahi chahta wohh meri tarah nakaam ho jaye"

Aise hi din guzar rahe the shaheer ka same routine tha office se aane k baad peena dair raat tk fir subah uth k office jana. 1 mahina hone ko tha, aur is 1 mahine me wohh notice kar rha tha k Aliya ko daily wohh ladka tang karta tha. Kabhi kabhi Shaheer waha jaa ke unko kam pe focus karne ko bolta tha par kabhi direct nahi bola us ladke ko k Aliya ko tang na kare.

Khair mahina pura hua aur wohh din bhi aa gya jab Durrani ne ana tha usse milne. Shaheer office me busy tha, sham 5 baje office ki chhutti hoti thi aur shaheer 6 bje nikalta tha office se.

Aaj usne notice kiya tha k Nabeela nahi ayi thi aur Aliya akeli thi. Aur office time khatm hone k bawjood Aliya gayi nahi thi apne jageh pe beth k kam kar rhi thi. Shaheer ko ajeeb lagta hai k aaj pehli bar aisa hua tha. Khair 6 baje k qareeb shaheer apne cabin se nikalta hai aur Aliya k table k paas jaa ke usse kehta hai.

"Office ka time khatm ho gaya hai, band hone wala hai office, tum bhi ghar chali jaao"

Aliya ki baat sune bagher hi shaheer bahar ata hai aur parking ki taraf chala jata hai. Office k bahar hi usey wohh ladka dikhta hai jo Aliya k aas paas mandrata tha office me. Khair wohh ignore kar ke parking me jata hai aur gadi start karta hai. Tabhi uska phone bajta hai, call durrani ka hota hai.

"Yar shaheer kuch problems ki wajah se mein aaj drink le k nahi aa paunga, tum hi intezam kar lena aaj" shaheer k phone uthate hi durrani kehta hai "Mein abhi nikal rha hu bas dinner k time pohonch jaunga waha"

"Ok koi masla nahi tum aa jao mere paas hai stock" Shaheer usko jawab deta hai.

Phir phone call cut karta hai aur gadi start kar ke parking se bahar nikalta hai. Bahar nikalte hi uski nazar jhan parhti hai wohh dekh k usko boht ghussa ata hai. Samne wohh ladka Aliya ko haath se pakadh kar kheench rha tha aur apne gadi ki taraf le jaa rha tha. Aur Aliya khud ko usse churhane ki koshish kar rhi thi.

Ye dekh kar shaheer ko boht ghussa ata hi, wohh gadi rok k utarta hai aur unki taraf jaane lagta hai. Un dono ne usey nahi dekha tha.

"Nakhre band karo aliya tum aur chup chap aao mere sath" wohh ladka uska haath kheenchte hue keh rha tha "Sirf drop hi to karna hai meine tumhein, konsa khaa jaunga"

"Ye kya ho raha hai yaha" shaheer waha pohonch k ghusse se kehta hai.

Usko dekh kar ladke ki phat jaati hai aur wohh jaldi se aliya ka haath chorh deta hai. Dono ne chup the, shaheer dubara unse poochta hai.

"Sir mein iske sath jana nahi chahti per ye zabardasti kar rhe hai mere sath aur bol rhe hai k mein drop kar dunga tumhein" Aliya rote hue shaheer se kehti hai.

"Sir ye aap ka matter nahi hai stay out … .." wohh ladka bolte bolte ruk gaya tha kyunke uske moon pe shaheer k haath chhap chuke the aur wohh neeche gir gaya tha.

"Mujhe mat sikhao k ye matter kiska hai aur kiska nahi" Shaheer ghussa se kehta hai "aur ayinda tum mujhe office me nazar na aao"

"Thookta hu tum pe aur tumhare office pe, ana bhi nahi meine" wohh ladka khada hote hue ghusse se kehta hai "Aur shaheer tumhein to mein dekh lunga, chorhunga nahi tumhein mein"

"Sun maana meine chorh diya hai khoon kharaba, maana k mein sharafat ki zindagi jee rha hu,Per me bhoola nahi hu woh sab kuch mat jagao us SK ko wapas" Shaheer ghurrate hue se us ladke se kehta hai "Mat jagao us darinde ko fir tum maut ko tarsoge maut nahi dunga tumhein, agar zindagi pyari hai to is ladki se mujhse aur mere office se door raho"

Wohh ladka kuch nahi kehta ghusse se apne gadi ki taraf jata hai. Aliya dari dari sehmi si waha khadi thi, uske samajh me nahi aa rha tha k kya kare.

"Chalo tumhein mein tumhare ghar drop kar deta hu" Shaheer usko uske khayalo se bahar lata hai.
Aliya ye naam pata nai kyu dil ke kareeb hai waise ek baat sonch raha hun dusman ko kabhi jinda nahi chodna chahiye kyuki mauka milte hi wo rang dikhata hai i think shaheer ko ye baat ab samjh aa chuki hogi
 

Top