Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

Member
1,531
1,618
143
Update 16

Flash back

Humari family aur Bilal bhai ki family shuru se aik dusre ko jante hai. Humare parents boht ache dost hai bachpan se hi. Bilal bhai bachpan se hi Fashma ko pasand karta tha, par kabi keh nahi paya. Fir Matric tk aate aate usne Fashma ko propose kiya pehle to usne reject kiya par dheere dheere dono mein understanding barhne lagi aur intermediate me proposal accept kiya.

Dheere dheere dono ka pyar barhta gaya aur fir junoon ki had tak aik dusre ko chahne lage. Magar Fashma k family walo ko is baat se masla tha k Bilal kuch nahi karta, sirf parhai kar rha to usko Fashma ka haath kyu de.

Isliye bilal ne army ki tayari start ki aur intermediate k baad army join ki, fir jaa ke dono k rishte k liye maan gaye. Aur dono ki engagement ho gayi. Ab to dono 2 jisam aik jaan ban chuke the. Bilal chuttiyo me ghar ata to dono chhat pe beth k dair raat tk baatein karte.

Aise hi din kat rhe the aur fir unke shadi ka din bhi decide hua pichle saal. Tab tk Bilal captain ban chuka tha aur usne SSG join kar liya tha. Shadi se 7 8 din pehle hi chhutti le ke aa chuka tha ghar. Aur shadi ki tayaria shuru ho chuki thi. Dono ghar aik dusre se lag ke the to dono ko dulhan ki tarah sajaya jaa rha tha.

Bilal aur Fashma ko aik dusre se milne nahi diya gaya tha ye bol ke k ab shadi k din hi milenge. Bilal bhi shadi k kaamo me busy tha, card bhejna aur baki kamo mein. Dheere dheere shadi k date nazdeek ata jaa rha tha. Abhi 5 din reh gaye the shadi ko aur Bilal jab subah uthta hai to Courier wala ghar ata hai aur courier de ke chala jata hai.

Bilal courier le k hall ata hai aur dekhta hai to paata hai, k courier unit se aya tha, jab khol k dekhta hai to usme likha tha k usko aaj hi report karna tha aur apne team k sath Waziristan jana tha aik operation pe. Uske paas option tha k woh phone kar ke apne CO ko batata k uski shadi hai, kisi aur officer ko appoint kare magar woh ye karna nahi chahta tha, kyunke SSG join karne k baad uska pehla operation tha ye.

"Beta courier wala kya de ke gaya hai ?" Bilal ki ammi hall me aa ke usse poochti hai.

"Amma unit se letter aya hai, aaj hi report karna hai meine" Bilal letter apne ammi ko dikhate hue kehta hai .

"Ye kya bol rhe ho beta tum, kuch dino me tumhari shadi hai aur tum bol rhe ho report karna hai aur kis liye bula rhe hai tumhein ?" Uski ammi ghussa hote hue kehti hai.

"Amma woh Waziristan mein aik operation k liye jana hai" shaheer darte darte kehta hai.

"Ye kya bakwas kar rhe ho tum, kuch dino me shadi hai tumhari aur tum operation k liye jaa rhe ho" uski ammi ghusse se kehti hai "Fauran apne seniors ko call karo aur manah karo"

"Amma ye kya keh rhi ho aap, aap hi to hamesha mujhe kehti thi k jab bhi mauqa mile apne mulk k liye jaan dene se pehle sochna mat"

"Per beta"

"Per wer kuch nahi amma, aaj mere mulk ko meri zarurat hai aur mujhe jana hai, ye operation pura kar ke shadi k din ya usse aik din pehle aap ka beta aap k samne hazir hoga"

"Beta mujhe boht dar lag rha hai, mat jaao na" bilal k gaal pe haath rakh k uski ammi pareshan hote hue kehti hai .

"Amma kuch nahi hoga mujhe, bas dua karna mere liye, aur agar me shaheed ho jaau to rona mat kyunke aap aik shaheed ki maa banoge fir"

Ye sunte hi uski ammi rone lagti hai aur usko gale se laga leti hai. Bilal bhi unko gale se laga leta hai.

"Fashma ko call kar ke bata do, mein tumhare abba ko batati hu"

Bilal waha se uth k apne room me jata hai, kuch zaruri cheezein pack karta hai aur jaane k liye bilkul ready ho jata hai. Aur fir apna phone nikal k Fashma ko call karta hai.

"Kyu g janab sabar nahi ho rha kya tumse, jo subah subah call kar liya" call attend karte hi Fashma kehti hai.

Fashma ki baat sunte hi bilal k chehre pe muskaan aajati hai. Fir woh thoda serious ho ke kehta hai.

"Fashma agar mein tumse kuch maangu aaj to kya tum mujhe dogi ?"

"Ye bhi koi poochne wali baat hai, jaan maangoge to jaan bhi de dungi, magar maangna mat, mujhe tumhare sath jeena hai" Fashma bade masoomiyat se kehti hai.

"Fashma unit ki taraf se orders aa chuke hai, mujhe aaj hi report karna hai, aur fir Waziristan jana hai aik operation pe, tumse ijazat chahiye, mein shadi se aik din pehle ya shadi k din aa jaunga" Bilal darte darte usko batata hai.

Fir aik lambi khamoshi chaa jati hai, Fashma kuch bhi nahi bol rhi thi. Bilal intezar kar rha tha k woh kuch bole, magar woh chup thi. Tabhi Fashma k hichkiyo ki awaz aane lagi, woh ro rhi thi.

"Meri jaan plz ro mat, aise to mein jaa hi nahi paaunga plz rona band karo"

"Mat jaao na bilal plz" rote hue Fashma kehti hai.

"Jaan kaisi baat kar rhi ho, pehli bar mauqa mila hai apne mulk k liye kuch karne ka"

"Per humari shadi ka kya ?"

"Mein wapas aa jaunga na jan, shadi se pehle ya shadi k din"

"Tum wapas aaoge na ?" Fareeha bade masoomiyat se poochti hai.

"Haan meri jan aaunga wapas shadi se aik din pehle ya shadi k din hi aa jaunga subah" ( bas ye pata nahi zinda aunga ya ...) Dil mein kehta hai.

"Theek hai jaate hue lawn mein aana, mein tumhein dekhna chahti hu"

"Theek hai jan mein abhi neeche jaa rha hu, apna khayal rakhna aur mere liye pareshan na hona, aur haan mujhe kuch ho jaaye to ..." Uski baat beech me hi ruk gayi kyunke call cut kar deti hai Fashma.

Bilal fir apna bag leta hai aur neeche hall mein ata hai. Uske baba ko bata diya tha ammi ne sab kuch. Khair bilal unse milta hai aur unki duaaein le ke bahar lawn mein ata hai aur Fashma k khidki ki taraf dekhta hai. Fashma khidki pe khadi thi aankho mein aansu liya bilal ko dekh rhi thi. Bilal kuch dair khada ho ke usko dekhta hai, usey aisa lag rha tha jaise aakhri bar dekh rha ho. Fir gadi mein bethte hue bhi apne family walo ko aur Fashma ko aik nazar dekhta hai aur fir gadi aage barha deta hai.

Bilal ko gaye hue 2 din ho gaye the, dheere dheere mehmano ka ana bhi shuru ho gaya tha. Jo door k relatives the woh bhi aa chuke the. Aur dono gharo me chehel pehel shuru ho gayi thi. Patakhe phode jaa rhe the, gharo ko sajaya gaya tha.

Jab relatives bilal ka poochte to unko yehi batate k kaam se gaya hua hai shadi se pehle aa jayega. Bilal ki family aur Fashma aur uski family pareshan the Bilal ko le kar, k woh kab aayega wapas. Uper se usse baat bhi nahi huyi thi, uske CO se baat karne pe bataya tha k operation me busy hai. 2 din ho gaye the aur raat ko Fashma ka phone bajne laga, jab usne dekha to naye number se call tha. Usne jaldi se call uthaya.

"To kaisi hai meri jan ? Shadi ki tayaria kaise chal rhi hai ?" Samne se bilal ki awaz ayi. Jisy sunte hi woh khushi se uchhalne lagi.

"Mein theek hu, tum kaise ho ? Kab aa rhe ho ?"

"Jan mein bhi theek hu, bas 1 ya 2 din aur lagenge yaha uske baad seedha tumhare paas" aage se bilal kehta hai.

"Jaldi aao na jaan mujhe boht dar lag rha hai, kahi tumhein kuch ho na jaye" Fashma rondhu si awaz mein kehti hai.

"Jan jab tak tum sath ho kuch nahi hoga mujhe, bas 2 din aur sabar karo fir tumhare paas hounga mein"

"Tum aik bar aao to sahi fir tumhein mein kahi jaane nahi dungi"

"Fir to kahi jaane ki zarurat bhi nahi, jahan jaunga meri jan sath hi hogi mere" bilal mahol ko thoda normal karne k liye kehta hai.

Fir thodi dair idhar udhar ki baat karte hai aur end pe bilal kehta hai.

"Jaan ab mein chalta hu briefing ka time ho gaya hai, aik baat yaad rakhna meine hamesha tumse hi pyar kiya hai aur marte dam tak karta rahunga, agar mujhe kuch ho jaaye to khud ko kabhi nuqsan na pohonchana warna me kabhi khush nahi reh paunga, hamesha apna khayal rakhna"

Iske baad bilal call cut karta hai, dusri taraf Fashma ro rhi thi bilal k aakhri alfaz sun ke. Bilal iske baad apne ghar walo se baat karta hai kuch dair aur fir apne team k paas chala jata hai.

Aise hi 2 din aur beet jaate hai, bilal se kisi ka contact nahi hua tha. Shadi ka din tha aur mehmaano se ghar bhare hue the. Fashma ko bhi Dulhan banaya gaya tha. Bas Bilal k aane ka intezar tha sab ko. Uske ghar wale uske CO ko call kar rhe the per woh call attend nahi kar rha tha. Fir uske dosto ko Sarkash, Saad, Vicky waghera ko call karte hai magar woh bhi call attend nahi karte.

Fashma ka dil subah se betha jaa rha tha. Usko lag rha tha k bilal k sath kuch bura hua hai, isliye woh boht udaas thi. Aur bar bar uske aansu nikal rhe the, Dusri taraf uske aur bilal k ghar wale bhi pareshan the k kyu bilal k dost aur seniors call nahi utha rhe hai. Mehmaan bhi pooch rhe the k bar bar k bilal abhi tk kyu nahi aya.

Shadi ka din hone k bawjood sab pareshan the. Aur dulhan apne kamre mein bethi ro rhi thi. ajeeb hi manzar tha. Subah se dopeher ho gayi aur Bilal ka koi ata pata nahi tha. Na uske dost aur seniors call utha rhe the. Ab uske ghar walo ko bhi lagne laga k kuch bura hua hai.

Dopeher ko city me halchal shuru huyi, army k gadiya kuch ziada hi taadad me aa rhe the city mein aur ghoom rhe the. Fir dopeher 1 baje k kareeb asmaan mein helicopter dikha army ka aur woh Bilal k ghar k nazdeek aik ground me utra, uske utarte hi army k boht se gadiya us taraf gaye aur kuch dair mein woh gadiya bilal k ghar ki taraf aayi aur ghar se kuch faasle pe gadiya ruki.

Ye manzar shadi me aaye sab log dekh rhe the, aur bilal aue Fashma k ghar wale bhi dekh rhe the. Aur unka dil betha jaa rha tha. Unhein yaqeen ho gaya tha k jiska dar tha wahi hua hai.

Fir gadiyo se army officers utarne lage. Army chief, DGs aur baki sare bade officers maujood the. Fir aik Gadi se taaboot utara gaya aur Saad, Sarkash, Vickaas aur aik officer apne kandho pe rakh k bilal k ghar ki taraf aane lage. Peeche sare officers aankho mein aansu liye aa rhe the. Bilal k dosto k aankho se bhi lagatar aansu beh rhe the. Taboot k samne SSG ka DG tha haath mein folded Pak flag aur Bilal ka uniform liye.

Ghar k sehen me jab pohonche to sab ko yaqeen ho gaya tha. Bilal k ammi aur baba bhi sehen mein aa gye aur DG SSG unke samne gaya aur Flag aur uniform unko pesh kiya. Bilal k ammi ne apne haath me liya aur apne aankho se laga liya dono ko, woh lagatar roye jaa rhi thi. Fir DG ne salute mara aur Taboot ko neeche rakha gaya. Tabhi Fashma daurhti huyi waha aayi aur taboot k upwr Bilal ka naam dekhte hi aik cheekh maari aur behosh ho gayi.

Flashback Ended
very nice update Fatima ko gahra dukh pahuncha hai lekin kya kare rab ko jo manjoor tha wahi hua hai is par song banta hai.

Rona chahun ro na paun
Dil kitna majboor hai
Kisse pata hai kaun bataye
Rab ko kya manjoor hai :
 
World's Worst Criminal
297
735
93
Bilkul galat duty duty hai kab bulawa aa jaye pata nai lekin jana hoga hi hoga bina koi sawaal kiye usko ye confirm nai tha ki marega wo kai baar meko laga mai marunga lekin bach gawa mai ye sukar hai kisi ko tata bye noi kiya noi to kisi din sach ma mar jata kauno yakin noi karta :d
Well koi samjhe ya nahi samjhe durru zarur samjhega Mera keya intension hai 😁
Aur Rahi BAAT duty ki army wali zab chutti leta hai special occasion ke Liye to during vacation use bulaya nahi zata unless woh border area Mai hai to. Special mission better say black operation ke Liye special unit chose kiya zata hai 😁 woh bhi vacant hai in logo ke liye.yeh police Wala post nahi zo emergency Mai kisi ko bhi bulaya zai.
Deshvakti acha hai but blind love is dangerous in every section. Example:Hitler.
Zab kisiki death samne ho to yeh usko pata chal zata hai ab ye depend karta hai Banda conscious hai ya nahi.
[Mar to ekdin sabhi zayega to uske Liye life ko full use Karna chahye because Marne ke baad afsos nahi rahna chahye. Otherwise one will be literally in hell no matter wherever God will sent you.]
BAAT bura laga to 🙏 it's just my thoughts
 
Last edited:
expectations
22,783
14,837
143
Well koi samjhe ya nahi samjhe durru zarur samjhega Mera keya intension hai 😁
Aur Rahi BAAT duty ki army wali zab chutti leta hai special occasion ke Liye to during vacation use bulaya nahi zata unless woh border area Mai hai to. Special mission better say black operation ke Liye special unit chose kiya zata hai 😁 woh bhi vacant hai in logo ke liye.yeh police Wala post nahi zo emergency Mai kisi ko bhi bulaya zai.
Deshvakti acha hai but blind love is dangerous in every section. Example:Hitler.
Zab kisiki death samne ho to yeh usko pata chal zata hai ab ye depend karta hai Banda conscious hai ya nahi.
[Mar to ekdin sabhi zayega to uske Liye life ko full use Karna chahye because Marne ke baad afsos nahi rahna chahye. Otherwise one will be literally in hell no matter wherever God will sent you.]
BAAT bura laga to 🙏 it's just my thoughts
Pahle long reply likha tha maine usme har point jod diya agar wo reply post karta aapko sawaal nai karna hota fir dost lekin is forum par apni baat rakhne ke pahle bahut kuch sonchna padta hai ishiliye short reply Kiya tha.filhaal aapki baat apni jagah sahi hai uske baad story me dekho fareeha jida hai shaheer jinda hai lekin dono bemaut lagataar mare ja rahe hongen filhaal sab writer ki qalam me hai mare hue bhi zinda hui jate hain
 
There can only be one king.
Moderator
3,406
6,210
143
Starting acha tha , yeh fareeha fer agayi apni back side hilake
Yeh bechara saheer to Pura loot gaya. Aya tha kisi ko sudharne but khud hi down ho gaya
Ghar ka Naam private mental hospital rakha jaye.
Yeh saheer to tha na zab billal ki body Aya the
? Yah baad Mai Aya tha. Cause billa ka shadi tha to saheer ko to zarrur invite kiya tha.🤔
Zo bhi ho usne to sab Kuch dekha Hoga ya suna Hoga tab 🤔
Yeh fashma ya Aliya ko us time dekha bhi Hoga
But Kuch salo Mai bhul gaya, ajeeb baat hai
Update to bara emotional style Mai diya but Mai nahi hota emotional 😞(ab isse defective function kahe ya Kuch aur. Feelings ain't gonna change)

Fareeha ka na band hone wala hai ab :D bas aakhri bar ayi thi :wink:
Shaheer k aane k bare mein next update mein pata chal hi gaya hoga aap ko :dost:
Aliya ko bhoolne k bare mein yehi bolunga, k zaruri to nahi hai k agar shaheer aya bhi tha Bilal k deat pe to sab se mila ho. Normally dua k liye koi ata hai to woh males k samne dua kar ke jata hai ya ziada close ho to Marne wale k parents se. har member se to nahi milta na :D
 
There can only be one king.
Moderator
3,406
6,210
143
To fashma aur billal langot yarrian hai 🤣
Try karte karte ek din bell Baja hi diya Chalo acha hai.
Yeh shadi se pahle Konsa operation deta hai kisiko ?
Army Mai soldier ki Kam par gaya tha keya ?
Sale khud bhi zanta tha wapas nahi aapayega
Tabhi direct mana kar deta either party ko.
Ab keya border pe jhanda Leke khara Raho.
Bechari Dulhan ko ab ungli se Kam chalana parega🤭
Chalo billa ne billi nahi mar paya suhaagrat ko.
But khud saheed ho gaya. Aur itni Zor ki cheekh to woh suhaagrat ko bhi nahi Marta🤣 Mera to Pura ear drum hill gaya. Next time muh Mai Kuch Dena Hoga 😉
Chalo Mera kaam tha mind refresh Karne ma Maine kar diya hope everyone will enjoy

Tumne shayad aik cheez notice nahi kiya phir uska tumhein idea na ho. Meine Bilal ko as a normal officer introduce nahi kiya tha, bataya tha k he was an SSG officer. SSG basically Pak army k commando group ka naam hai. Aur dusri baat k kisne kaha shadi se pehle nahi bula sakte ksi operation k liye. Bulana unit ka kam hota hai, baki agar officer ki shadi hai ya death huyi hai close relatives mein se. to woh us cheez ko excuse bana sakta hai, but mostly officers prefer to go on operation.

Aur bilal wala jo yahan bataya hai, its inspired from real army officer's life. Yahan kafi aise army officers shaheed hue hain, jinki shadi 1 hafte baad tey huyi thi. Agar Sanwal aur Arhan ko idea hai aur interest hai army mein, to they can tell you k yes aise cases hue hain.

Ab rahi baat bilal ko pta hone ka k woh marega, ye to zaruri nahi hai na k agar aik officer operation zone mein jaa rha hai to woh marega hi.
 
There can only be one king.
Moderator
3,406
6,210
143
Bahut he dukh bhara fleshback fashma aur bilal ka aur thora short men bhi per itna bhi bahut he ...

Bilal per bahut fakhar bhi ho raha he ke apne bachpan ke peyar ko chhor ker apne watan ki hifazat ke lihe chala geya bilal ki terhan har mulk ka sipahi apni koom ke lihe base fakhar hota he ke wo apna ghar baar biwi bache maa baap saab kuch chhor ker apne mulk ke logo ke lihe apni jaan dene ko teyaar rhete hen ..,

Durru bhai aap ka ye update ek fuji ka apni khushi ko chhor ker apna farz pura kerne jana mujhe bahut pasand aaya :thumbup:

Aur ek aap ho jo hame apni ek update ke lihe sara din Lw per bethaye rakhte ho:d

Aur raha fashma ka naam cheng ker na to ye aap ne bahut aacha kiya ke ye naam cheng ker deya is ka rezan men janta hon per ye fashma naam kuch sut nahi ker raha ye naam sun ke kuch galat shalat larki ka aks zehn men aajata he koyi dusra naam rakh lo jise farheen farhaa farwa fazila wagera koyi naam rakho baki aap jo bhetar samjho ....

Aur akher men ek rekwest he ke fashma ko permanet shaheer ki heroin banao chahe wo dusri he kyon ne ho...

Bhetareen update

Aur kitni bar change karwaoge tum log names :lotpot: Ye bhi Dragon k suggestion pe change kiya hai meine ab dubara change kiya to confusion barh jayega, so bardasht karo :D

Rahi baat Fashma k permanent heroine banne ki to woh aage pta chalega k woh banegi ya nahi, ye faisla meine uspe chorh diya hai :D
 

Top