Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

There can only be one king.
Moderator
3,406
6,214
143
Shaheer ko fir se kaam mila hai boss se lekar ab dekhna ye hai kya inna bewkoof hai wo Jo ankh mund kood jayega fir se kyuki do baar dhoka hua uske sath maut se samne se gujar gaya hai is baar usko kuch to karna hi hoga waise bhi dusman ko zinda chhodna matlab apni life me pareshani khadi karna wo fir se dimaag lagayega
:thanks: for your precious comment :dost:

KEEP SUPPORTING :hug:
 
Newbie
92
271
53
Update 04

****** City mein raat ko aik bhayanak car accident hua hai .. Jisme jaane maane Buiseness men Javed Khan aur unki wife Shaziyya khan the .. Javed khan ki wife to on the spot hi dam todh gaye .. Magar javed khan ko hospital admit kar diya jaa chuka hai ..
Phir accident ki jagah aur car ko dikhane lage tv pe .. Ye news dekh k shaheer k hosh hi udh gaye ..

Kyu k javed khan koi aur nahi uske hi dad the .. Woh khada hota hai aur apna phone nikal k ghar phone karta hai ..Shaheer kafi pareshan ho gaya tha news dekh k woh bs dil mein yehi dua kar raha tha k uske dad ko kuch na hua ho .. Phone Shaziyya yani shaheeer k sautele maa k bhai ki biwi ne uthaya tha .. jinka naam ruqayya tha .. shaheer salam k baad poochta hai

Shaheer :- kya news mein jo chal raha hai woh sach hai ?

Ruqayya :- Pehle ye batao k ho kon ?

Shaheer :- jee mein shaheer baat kar raha hu javed khan ka beta .. ap kon baat kar rahe hai ? Ruqayya :- baap k accident hote hi unki yaad aa gayi haan .. Laalchi insan unke property aur paise k liye hi pooch rahe ho na tum .. Tum to khush honge .. dua kar rahe honge k jaldi mar jaye javed bhai ..

Shaheer :- Ye kya bakwas kar rahe ho aap .. aur ho kon aap mere ghar k mamlon mein baat karne wali ..

Ruqayya :- Mein ruqayya sakina k bhai ki biwi ..

Shaheer ko pata chal gaya tha k uske dad ka accident ho gaya hai .. woh phone kaatta hai aur jaldi se bahir jane lagta hai .. peeche se farzana boht poochti hai but woh jawab nahi deta .. neeche garage mein uski gadi khadi thi .. Uski favourite Revo Hilux ..

Woh gadi start karta hai aur gadi ko apne city ki taraf bhagata hai .. ye city 5 6 ghante k faasle pe tha shaheer k city se ... Woh non stop gadi chalate hue jata hai aur 4 ghante mein pohonch jata hai .. raat ho chuki thi .. Shaheer gadi sidha apne haveli mein ghusata hai .. Aaj shaheer 20 saal baad aya tha apne ghar aur woh bhi aise mauqe pe ..

Gadi park kar ke daudhte hue andar jata hai .. woh hall mein qadam rakha hi tha k uske dad k room se rone ki awazein buland ho gayi .. woh daudhte hue room mein pohoncha to doctor keh raha tha .. k He is no more .. Ye sunte hi shaheer wahe do zaano ho ke beth jata hai aur rone lagta hai .. ziada log nahi the waha .. bs Naukaron k ilawa .. Shaziyya k bhai aur bhabi ruqayya hi the .. Sam ko dekh k ruqayya uske paas ati hai aur kehti hai

Ruqayya :- Ab aa rahe ho baap k marne k baad .. Tumhare jaisa beta khuda kisi ko na de .. baap k marne k baad hi aa gaye tum .. Taa ke uske property mein tumhein hissa mile ..

abhi ruqayya age bhi kuch bolti usse pehle hi waha kashifa khala ati hai .. aur ruqayya se kehti hai

Kashifa khala :- tum hote kon ho shaheer k bare mein aisa bolne wali haan ?.. kya lagte the javed sahab tumhare ? .. Baap the woh inke agar aik baat bhi aur inke khilaaf bola to ye nahi sochungi k ghar mein kya mahol hai aur tum kiske ghar mein ho samjhi ..

Phir shaheer ko waha se uthati hai aur uske dad k janaze ki taraf le jata hai ..Jaise jaise shaheer us taraf jaa raha tha waha khade log usey rasta dete .. jab shaheer apne dad k laash k paas pohoncha to dekha uske sirhane 1 khubsrat si ladki bethi ro rahi hai .. shaheer ko dekh k woh khadi hoti hai aur shaheer waha beth k apne dad k hath ko utha ke pehle cchoomta hai.. aur phir aankhon se laga rone lagta hai ..

Javed khan age 60+ , fit and handsome aadmi the .. Pehli shadi inki arrange marriage thi .. magar uske baad inhon ne love marriage ki .. Pakistan k boht bade buiseness men .. Marte waqt bhi inke dil mein aik kasak reh gayi k inhon ne apne bete k liye kuch nahi kiya .. nafrat k siva usey kuch na diya .. apne bete k halat se anjan na the .. Inhon ne boht koshish kiya k apne bete ko wapis pehle jaise apne qareeb karein .. magar kafi dair ho chuki thi .. uske dil mein inke liye nafrat bhar gaya tha .. aur marte hue bhi inko bs isi baat ka dukh tha k uska beta usse nafrat karta hai

Aaj Shaheer ko Ehsaas ho gaya tha k woh apne dad se kitna pyar karta tha .. Jo woh bolta tha k woh apne dad se nafrat karta hai .. woh sab be bunyaad the .. agar woh sach hote to aaj shaheer aise nahi ro raha hota .. woh wahi unke sirhaane beth k rote raha .. subah tak .. Subah aur bhi log aye aur phir unke kafan dafan ka silsila shuru hua .. Unko bhi wahi dafan kiya gaya jaha uske do biwiyon ko kiya gya tha .. Shaheer k mom ko aur unke dusri biwi ko ..
Nice update
 
Newbie
92
271
53
Update 06

Advocate :- Mein javed khan apne pure hosh o hawas mein apna pura property , apna ghar , apna bank balance , apna buiseness , apni gaadiyan sab kuch apne bete shaheer khan k naam karta hu .. Ab ye uski marzi hai k isme se kisi ko kuch dein ya na dein ..

Ye will sunne k baad jinko sab se bada jhatka laga tha woh the Ruqayya , Naeem aur Shaheer .. Ruqayya aur Naeem ka to sab samajhte hai laalchi the .. unko lagta tha k Javed Khan apni property apni beti k naam karenge .. aur baad mein woh dono usse sab hadap lenge .. magar yaha inke armaanon pe pani phir gayi thi .. Shaheer ko jhatka isliye laga tha k usey nahi lagta tha k uske dad apni property mein se usey kuch denge .. magar yaha to unhon ne sab kuch shaheer k naam kiya tha ..

Kher advocate will sunane k baad chale gaye .. magar ghar mein aik zilzila kar k gaye the .. Abhi ruqayya aur naeem is zilzile se bahir nahi aye the k kashifa ne unhein kaha

Kashifa :- ab aap log apni tashreef khud le k jayenge yaha se ya phir mein aap logon ko ghar chodh k aau ..

Ye sunte hi dono apne room ki taraf chale gaye ye bol ke k woh packing kar rahe hai .. Kashifa bhi unke peeche hi chali gayi k kahi haweli se kuch utha k na le jaye .. Hall mein sirf shaheer aur uski sauteli behn thi .. jiska nam bhi abhi tak shaheer ko nahi pata tha .. Shaheer uske paas jaa ke kehta hai

Shaheer :- Dekhein mujhe pata hai mujhse ziada aap dad k qareeb the .. aur aap ne hi unki khidmat ki hai hamesha .. mein yaha tha hi nahi .. dad ne apni property mere naam kyu ki mujhe nahi pata .. Par mein aap se kehta hu mujhe na unki property se matlab hai na hi unke paise aur bangle , gadiyon se .. apni pet bharne k liye mein jo kamata hu woh kafi hai mere liye .. Agar aap chahte hai to mein sab kuch abhi aap ke naam kar deta hu .. Aap yehi haveli mein reh k unka buiseness sambhaale ..

Shaheer ne aaj pehli baar ksi se itne izzat aur pyar se baat kiya tha .. woh bhi kisi ladki k sath .. Usey badle mein isi tarah izzat aur pyar se baat karne ki umeed thi ..magar hua bilkul ulat ..

Ladki :- Mujhe nahi chahiye tumhari ye bheek .. Agar unko meri fikar hoti na to khud mere naam karte .. meri beti meri ladli yehi sab sun k badi hui hu mein unke moon se .. Magar akhir apna khoon to apna hi hota hai .. Apni property aur sab kuch tumhare naam kar diya .. Ye tak na socha k mera kya hoga .. agar woh mujhe apni beti samajhti na to aisa na karte mere sath .. Aur tum mujhpe apni daya na dikhao .. Mera family hai ab bhi mere mamu hai .. mein unke paas reh lungi .. Road pe nehi aayi hu property tumhare naam karne pe ...

Ye sun k shaheer ka to ghusse ka thikana nahi rehta .. woh ghusse mein cheekhte hue kehta hai

Shaheer :- Agar aisa hi hai to dafa ho jao yaha se .. Agar tum unki khidmat unke property aur paison k liye karte the to laanat hai tum pe .. Mujhe tum pe rehem nahi aa raha tha .. Mujhe mere dad ka khayal aa ke woh sab kaha tha .. kyu k woh tumse pyar karte the mujhse bhi ziada .. agar apna khoon apna hota na to us waqt dad mujhe nahi maarte teri baat sun k .. tumhein maarte .. magar tum kya samjhoge .. tum to apne mama mami ki tarah laalchi ho .. Property mere naam hote hi tevar badal gaye tumhare .. aur dad k khilaaf bolne lage .. property k baare mein pata chalne se pehle to ro rahi thi unke liye .. Tum me aur tumhare mama mami mein thoda bhi faraq nahi hai samjhey .. ab apne saman bandho aur dafa ho jao yaha se ..

Shaheer ki cheekh sunke Ruqayya aur Naeem bhi room se bahir nikle the .. aur shaheer ki baatein sunke unke bachi kuchi umeed bhi khatam ho gayi .. shaheer waha se sidha chhat pe chala gaya ..aur sigeret nikal k jalaya aur peene laga .. Woh soch raha tha k kya usne sahi kiya uske sath aisa kar ke .. phir usne socha k sahi hi kiya .. woh chhat pe ghoomte hue sigeret pee raha tha tabhi neeche dekhta hai to pata hai .. K Ruqayya , Naeem aur unki bhaanji apne bag le k haveli k bahir nikle aur taxi ka wait kar rahe the ..

Shaheer bahir khade aik driver ko awaz deta hai .. aur unko unke ghar chodh k ane ka kehta hai
.. magar woh log manah karte hai .. Shaheer chup chap sigeret pee k neeche ata hai ..Neeche Kashifa khala naukaron se ghar ki safai kara rahi thi .. Kyu k woh naukron mein nahi thi .. woh sirf shaheer k care taker thi .. shaheer k baad uske sauteli behn k ..

Shaheer sofe pe beth jata hai .. 7 din se usne theek se soya bhi nahi tha .. aur sofe pe bethe bethe hi so gaya .. uski neend tab khuli jab raat k khane k liye kashifa khala ne usey jagaya ..WOh jag k washroom jata hai aur fresh ho ke bahir ata hai .. phir dining table pe beth jata hai jaha khana lagaya hua tha ..
Dining table pe beth k usey uska bachpan yaad ata hai .. Kaise uske mom dad usko apne haathon se khana khilate the .. Khud woh kabhi nahi khata tha uske mom dad hi usey khilate the .. Woh sab yaad ate hi uske aankhein nam ho jati hai .. ye dekh k kashifa khala uske aankhein ponch k kehti hai

Kashifa :- Bs karo beta aur kitna aansu bahaoge .. ab tumhare rone se tmhare dad to wapas nahi ayenge na .. Ab chup ho jao aur khana khao .. acha mein khilata hu apne shehzade ko apne haathon se..

Phir kashifa uske pas chair pe beth k usey apne haathon se khilati hai.. Aaj kitne saal bad shaheer ko itna lazeez khana khane ko mil raha tha .. Nahi to woh khud hi apne liye khana pakata aur khata tha .. Ye nahi tha k woh khud acha nahi banata tha khana .. woh bhi maze k khane pakata hai .. per kashifa khala k hath k khane ka maza hi alag tha .. Kher khana khilane k baad Kashifa usse poochti hai ..

Kashifa :- Beta ab kya socha hai tumne ? Yehi rahoge ya wapis apne city jaoge ?

Shaheer :- Khala mera kal jana zaroori hai .. haan mein har mahine ane ki koshish karunga .. Aap sab yehi rahe aur kisi ko kahi jane na dein .. Mein jald hi waha ka kaam khatam kar ke yaha aunga .. aur dad ka buiseness sambhalunga .. tab tak aap haweli ka khayal rakhein ..


Uske Baad shaheer waha se uth k apne dad k room mein jata hai .. aur waha unke kuch tasweer lage hue the .. woh un tasweeron mein se kuch tasweeron ko nikalta hai aur aik box mein rakhta hai .. phir unke phone laptop sab kuch us box mein rakhta hai .. unke cupboard mein usey aik letter milta hai … abhi woh usey kholne hi wala tha k uske phone pe call ata hai .. woh us letter ko usi box mein rakhta hai ...aur phone ki taraf dekhta hai " Boss " naam k kisi ka call aa raha tha uske phone pe .. Shaheer call attend karta hai Shaheer :- Hello ..

Boss :- ***** Road , pe left side k gali mein andar jaoge to aik old factory hai , usme shamsher kal subah aik boht bada drug dealig karne wala hai .. kal shamsher ka marna zaroori hai..kisi bhi haal mein .. agar kal woh deal kar gaya to phir woh boht powerfull hoga aur uske baad usey marna asan nahi hoga .. thats why you have to do it tomorow ..

Shaheer sochta hai k abhi woh yaha se niklega to subah tak city pohonch jayega .. Woh us box ko uthata hai aur hall mein ata hai aur bahar jane lagta hai to kashifa poochti hai ..

Kashifa :- kaha jaa rahe ho beta itni raat ko .. aur is box mein kya hai ..

Shaheer :- khaala mujhe aik zaroori kam aa gaya hai .. aur abhi nikalna ho ga kal subah tak city pohonchna zaroori hai .. aur is box mein dad k phones aur laptop waghera hai.. aap apna aur haveli ka khayal rakhein mein jald hi ane ki koshish karunga .. aur paise mein aap k account mein bhej dunga .. aap sab servents mein taqseem kar dena ..

Ye keh k shaheer bahir ata hai aur woh box apne gadi mein rakhta hai .. aur city ki taraf badh gaya .. Subah k 6 baje k kareeb woh city pohoncha abhi uske paas tym tha .. Deal 9 baje hone wala tha .. to usne socha kyu na thoda rest liya jaye .. aur phir woh gadi ghar k garage mein khadi kar ke box le k andar jata hai .. aur box apne cupboard mein rakh k bed pe gir jata hai .. aur 8 baje ka alarm laga k so jata hai ..
Londe ki to latri lag gai :poohdance:

nafrat ke baad bhi sari dolat us ke baap ne us ke naam ker di:paisabolta:
 

Top