Incest Aashiqui 2 ( A Saga of Thriller, Hate, Love, Romance, Friendship, Betrayel and Revenge )continue

Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,106
143
Update 19

Ye sunte hi shaheer k chehre se woh shararat kahi ghayab hi ho gayi. achanak serious ho gaya aur hairan ho ke Fashma ki taraf dekhne laga. Iski wajah yehi thi k Shaheer ne kabhi bhi Fashma ko us nazar se nahi dekha tha aur na kabhi uske dil mein aise feelings aaye the Fashma k liye.Aur abhi Fashma k ye bolne pe wohh soch me parh gaya k wohh kya jawab dega Fashma ko.

Uski ye halat dekh k Fashma zor zor se qehqeha laga ke hasne lagi.

"Shakal dekho buddhu ka, kaise serious ho gaya" Fashma haste hue kehti hai "Pagal mein tumse pyar karti hu magar behn ki tarah, tum mere liye bhai ho aur mein apne zindagi me bilal ki jagah kisi ko nahi de sakti, samjhe buddhu" ye kehte hue Fashma dheere se shaheer k kandhe pe maarti hai.

Shaheer k chehre pe bhi muskurahat wapas aa gyi aur usne socha thoda isko tang kiya jaye to woh kehta hai.

"To yar Fashma tum mujhse 5 6 saal badi hogi, to kya mein bhi Aliya ki tarah tumhein Aapi bulau ?"

"Jaan se maar dungi tumhein mein, me 1 2 saal hi badi hongi tumse, tumne to buddhi bana diya mujhe" Fashma jhoota ghussa dikhate hue kehti hai.

Aise hi dono baatein karte hai. Dheere dheere shaheer apne purane rang me aa rha tha. Uske chehre ki muskurahat laut aayi thi, Fashma k sath usko boht acha feel hota tha.

"Yar shaheer tumhari daarhi (beard) kuch ziada badi nahi ho gayi hai, aao tumhari shave banati hu, ache nahi lag rhe yar tum" kuch dair baad Fashma kehti hai.

"Arey nahi yar rehne do, kya karunga shave kar ke, chorho"

"Arey nahi pagal, mujhe acha nahi lagta, mera eklauta handsome bhai aise majnu ban k ghoome, chalo utho ab"

"Acha meri maa uthta hu, but shave nahi trim kar dena bas"

Fir dono uthte hai aur shaheer trimmer lata hai, fir Fashma uske daarhi trim karne lagti hai. Aise hi din guzar rhe the, Fashma aik badi behan ki tarah shaheer ka khayal rakh rhi thi aur shaheer aik ache bhai ki tarah uski har baat sunta tha aur sath hi uska khayal bhi rakhta tha. Ghar me bhi sab ko pata tha k dono aik dusre ko behan bhai maante hai. Isliye kisi k zehen me koi ghalat khayal nahi ata tha.

Khair kuch hafte baad Aliya ne dinner k time ye khabar sunaya k uske ghar se call aya tha. 1 weak baad uski engagement hai, usko aur Fashma ko ghar jana hoga. Shaheer thoda dukhi tha k Fashma jaa rhi hai. Magar khush bhi tha k ab Fashma normal ho gayi hai, aur usko woh dore nahi aate the jo pehle aya karte the.

Agle din dono behnein apne ghar k liye nikal gaye. Jaane se pehle pura ghanta Fashma shaheer ko lecture deti rahi k dawai time pe aur smoking aur drinking se dur rahe aur agar usko pata chala ke usne aisa kuch kiya hai to woh usse kabhi baat nahi karegi. Fashma shaheer ko kisi bache ki tarah treat kar rhi thi. Aur shaheer ko bhi ye acha lag rha tha. Khair shaheer ne bhi usko samjhaya k medicines time pe le woh call kar ke poochega rozz. Is tarah dono behnein waha se nikle apne ghar k liye.

Jitna Fashma ne usey samjhaya tha uske baad uska bhi dil nahi karta tha ye sab karne ka. Shaheer aaj office jata hai aur fir sham ko ghar ata hai fir thoda hashir k sath football khelta hai aur fir raat tk tv dekhta hai dinner k baad so jata hai.

Shaheer k samajh me aik cheez nahi aa rha tha durrani ko aakhri bar usne hospital me dekha tha jab woh usse milne aya tha. Uske baad se woh ghayab tha. Na usse contact ho rha tha woh shaheer se milne aya tha. Shaheer ko lag rha tha k shayad woh usse naraz hai, kyunke hospital me shaheer ne usse baat nahi kiya tha.

Meanwhile in Tibet

"To sarkaar ab kya irada hai ? Shaheer bhi normal ho gaya hai kafi had tak, apna plan execute karne ka time nahi aya ?" Abdul as usual ciggerete ki aik kash lagate hue durrani se kehta hai.

"Aa gya hai time abdul aa gya hai, engagement attend karne do shaheer ko fir hum usey shock denge :D" durrani muskurate hue kehta hai "Bas parso mein jaunga Pakistan plan ko execute karne k liye"

Aise hi 3 din aur guzar gaye. Sab kuch normal chal rha tha. Shaheer bhi apne routine k mutabiq kam kar rha tha. Hashir k exams start ho gaye the to woh unki tayario mein busy tha. Khala hashir ka khayal rakh rhi thi. Bas aise hi din guzar rhe the. Raat ko dinner k baad shaheer tv pe news dekh rha tha tabhi uska phone bajne laga usne phone utha k dekha to call Fashma ki thi.

"To bhaijan kaise hai aap ?" Fashma shararti lehje mein kehti hai.

"Aapi theek hu mein aap sunao kaise ho ?" Shaheer kaha peeche rehne wala tha woh bhi usi ki tarah shararat bhare lehje mein kehta hai.

"Mein bhi theek hu, ye batao medicines to le rhe ho na time pe aur khana ?"

"Haan g madam medicines bhi time pe le rha aur khana bhi kha rha hu, tum apni batao ?"

"Haan me bhi, aur sorry yar tumse baat nahi kar payi yaha aane k baad, engagement hai to thoda busy ho gayi thi yaha kaamo mein"

"Arey nahi nahi yar, its ok i can understand"

"Asal me phone isliye kiya tha k tum kal yaha aa jao, 2 din mein engagement hai aur bhai hi ghayab hai humare, acha nahi lagta ye"

"Acha g to aisi baat hai ? Chalo fir bhai kal pohonch jayega, but tumhare parents ?"

"Unko bata diya hai tum unki tension na lo, bas kal aa jao"

"Ok fir kal ata hu, milte hai fir kal, tc bye"

"Ok tc bye"

Fir shaheer apne room mein jata hai aur packing karne lagta hai. Packing kar ke fir so jata hai aur subah uth k khala ko bata deta hai k woh Aliya logo k ghar jaa rha hai. Aur fir breakfast kar ke thodi dair tv dekhta hai aur fir nikalta hai Aliya logo k city k liye.

Lunch k time woh unke city pohonchta hai aur fir seedha gadi unke ghar ki taraf leta hai. Aur gadi bahar hi park kar ke bell bajata hai. Kuch hi dair me Aliya bahar aati hai aur gate kholti hai. Shaheer ko dekh k boht khush hoti hai aur fir usko le k andar jaati hai. Andar sab hall mein bethe hue the. Aliya k parents aur Bilal k parents, shayad engagement k bare me discussion chal rhi thi. Shaheer ko dekh kar woh bhi khush hote hai aur bade garam joshi se milte hai.

Fir shaheer bhi unke paas beth jata hai. Aaj shaheer ko itne khushgawar mood me dekh kar woh bhi hairan the. warna pichli bar aya tha to ajeeb hi impression chorh k gaya tha woh unper. Khair kuch dair idhar udhar ki baat aur haal chal poochne k baad shaheer kehta hai.

"Uncle Aunty mein aap logo ko kuch baatein batana chahta hu"

"G beta bole" Aliya ki ammi kehti hai.

"Aap logo ko pata hoga pichli bar jab mein yaha aya tha to meine thoda ajeeb behave kiya tha aur fir inke (bilal's parents) ghar mujhe dora bhi aya tha"

"G beta inhone bataya tha humey" Aliya k dad bolte hai.

"Asal mein mere sath bhi aik haadsa hua tha 2 saal pehle, jiski wajah se mujhe helucination hote the waqfe waqfe se, aur fir meri tabyat kharb hoti thi, us din yaha se jaane k baad aik haadsa hua ghar me, aur mein hospital mein admit hua"

"G g Aliya ne yaha aa ke bataya tha aur Fashma bhi gayi thi tumse milne" Aliya ki mom kehti hai.

"To shayad aap logo ko ye baat pata ho ya na ho, mein aap ko batana chahta hu, k Aliya aur Fashma us din k baad se mere ghar me hi reh rhe the. Aik bar aap aye the tab ye log apne flat gaye the, ye log aap ko batane se dar rhe the k aap log kuch ghalat na soch le. To mein aap ko ye batana chahta hu, ye dono mere ghar me rahe hai pichle 1 ya derh mahine. aur Fashma ne mera boht acha khayal rakha, medicines time pe khilati thi aur mere jo bure adat the sab churhwa diye. Aik badi behan ki tarah usne mera ab tak khayal rakha, jiske liye mein uska bhi aur aap logo ka bhi shukar guzar hu"
 
Dunya badi Benchot Hans k Khaye meine Zakham
Moderator
3,251
6,106
143
Update 20

"Beta ye tumhari achai hai k tum khud humey bata rhe ho ye log tumhare ghar the. Fashma ne aane k baad humey sab bata diya tha aur ye bhi bataya k tumne kis tarah uska khayal rakha. Beta shukar guzar hum tumhare hai, k tumhari wajah se woh theek ho gayi. Humne to uske theek hone ki umeed hi chorh di thi, yaha pe na woh medicines time pe khaati thi aur na khana. Ye to acha hua woh tumhare paas ayi aur tumhari wajah se theek ho gayi."

"Aunty aap sharminda na kare shukriya kar ke. Ye to uperwale ka karam hai, k Fashma k roop mein usne mujhe behan diya jiski wajah se me theek ho gaya aur woh bhi theek ho gayi. Waise woh hai kaha ? Dikh nahi rhi ?"

"Woh apne room mein hogi, jaao beta Aliya bula k to laao usey"

Kuch dair me Fashma aati hai main gate se andar, shaheer samajh jata hai k woh bilal k ghar uske room mein thi. Khair shaheer ko dekh k boht khush hoti hai aur uske paas aa ke beth jaati hai.

"To aa gye bhai sahab aap ?"

"Nahi aapi abhi raaste mein hu" Shaheer bhi haste hue Mazak karta hai

"Tu aapi na kaha kar mujhe ajeeb budhio wali feeling aati hai" Fashma jhoota ghussa dikhate hue kehti hai.

Fashma ko aise chill mood me dekh k sab khush the. Aise hi lunch ka time hota hai aur sab lunch karne lagte hai. Fir engagement k kaamo me lag jaate hai. shaheer bhi dil se help kar rha tha unki.

Aise hi dekhte hi dekhta engagement ka din bhi aaya, aaj fir pura ghar sajaya gaya tha sab khush the. Magar Fashma thodi udaas thi, usko shayad uski shadi wala din yaad aa rhi thi, shaheer uske paas jata hai aur usko thoda samjha ke normal karta hai.

"Tum aise udaas honge to meine jo surprise plan kiya hai tumhare liye uska kya hoga ?" Thoda samjhane k baad shaheer usse kehta hai.

"Kaisa surprise ?" Woh hairan ho ke poochti hai.

"Bas khud hi dekh lena kuch dair ruko bas"

Fashma hairan thi k kya surprise dene wala hai ab. Khair abhi Afaq k ghar walo k aane mein bhi boht time tha. 11 baje k qareeb shaheer ne Fashma ko msg kiya aur neeche hall mein bulaya, tab woh Aliya k sath thi uske room mein. Jab woh neeche hall mein aayi to hairan ho gayi.

Kyunke neeche unke sare dost khade the apne wives k sath. Fashma unko dekh k boht khush hoti hai. Shaheer ne hi invite kiya tha unhein. Saad, vicky, sarkash sab waha maujood the aur sab aik sath beth jaate hai aik table pe.

Fir us tour k bare me baat karne lagte hai jahan ye sab sath gaye the. Aur woh yaad aate hi Fashma aur shaheer thoda udaas hote hai. Kyunke dono k sathi ab unke sath nahi the. Khair ye cheez samajhte hi topic change kar lete hai sab.

Aise hi thodi dair me Afaq apne ghar walo k sath ata hai aur sab se milta hai, fir shaheer se milta hai aur special thanks karta hai. Shayad Aliya ne usko bata diya tha k iski wajah se hi uske ghar wale rishte k liye maan gaye the.

Khair isi tarah function khatm hota hai, raat ko mehmaan jana shuru karte hai. To shaheer bhi ijazat leta hai, Fashma to usko jaane hi nahi de rhj thi keh rhi thi k aaj ruk jaaye woh kal aram se jaaye. Uske parents bhi yehi keh rhe the. Magar woh kehta hai uska kal meeting hai isliye jana zaruri hai. Aur fir nikal jata hai apne city ki taraf.

Bahar andhera chaya hua tha aur shaheer akele gadi drive karta hua jaa rha tha. Abhi aik sunsan raste se guzar rha tha aur aage peeche koi gadi nahi thi. Aur uske gadi ki speed bhi ziada thi. Tabhi achanak kahi se aik goli chalti hai aur seedha aa ke uske kandhe pe lagta hai. Woh gadi control karne ki koshish karta hai magar tabhi aik aur goli uske gadi k tire pe lagti hai aur gadi boht buri tarah ulat jaati hai.

Shaheer boht zakhmi ho chuka tha, woh khud ko boht mushkil se gadi se bahar nikaalta hai. Uska aik taang bhi zakhmi ho gaya tha. Woh samajhne ki koshish kar rha tha k achanak kya hua tabhi aik saya uske uper ata hai.

"Saale aa gya na auqat pe, tune mara tha na mere bhai ko ? Ab dikhata hu tujhe me kya cheez hu, aa jao be sab aur haddiya torh do saale ka"

Tabhi boht se log waha uske ird gird jamah ho jaate hai aur fir uspe laath barsane shuru karte hai aur dando se maarne lagte hai. Shaheer ka bura haal tha, aik to accident aur goli lagne ki wajah se woh zakhmi tha aur fir ye log usko marne lage. Jab shaheer bejaan sa hota hai to woh aadmi aik steel rode uthata hai aur zor se shaheer k moun pe maarta hai jiske baad dheere dheere uske aankhein band hone lage.

Ye sab itni jaldi me hua k shaheer ko khud ko bachane ka time hi na mila. Ab shaheer k aankhein dheere dheere band ho rhe the aur jo usey maar rhe the woh bhi waha se jaa chuke the. Shaheer ko lag rha tha k uska aakhri waqt aa gya hai, aur uske aankho k samne fareeha ka hasta hua chehra ata hai. Aur phr dheere dheere uske aankhein band ho jaati hai.

Few Hours Later

"Abdul stretcher laao jaldi karo" Hospital k bahar gadi rokte hi Durrani cheekhte hue Abdul se kehta hai.

Abdul jaldi se bahar jaata hai aur aik stretcher le ke aata hai. Fir Durrani shaheer ko uspe litata hai aur dono andar bhaagte hai. Shaheer k pure body se khoon beh rha tha. Uska chehra kafi kharab ho gaya tha rode marne ki wajah se. Durrani usko le ke andar jata hai aur fir direct usko operation theatre le jaya jata hai.

Doctors manah kar rhe the kyunke police case tha magar Shaheer k bare me pta chalne k baad woh log operation start karte hai. Durrani aur Abdul OT k bahar boht pareshan khade the.
 
Important Announcement !
Guys ye cheez tum logo ne bhi notice kiya hi hoga k mein irreguler hu kafi time se. Iske peeche main reason ye hai k mein boht ziada busy hota hu. Pura din busy rehta hu phr sure nahi hota k raat ko update de paau bhi ya nahi but time nikalna parhta hai. In short mein aik exam k liye preparation kar rha hu I myself don't know k kitne mahine lagenge mujhe preparation complete karne mein. Aise mein daily story ka update dena mere liye distraction ka bayis ban raha hai. Even i discussed it with Dragon aur mere paas do hi options the.
  1. Pehla option ye k Filhal k liye story stop kar du aur jab free ho jaau tab wapas continue karu. Jaise k meine bataya mujhe khud bhi idea nahi k kab tak free ho jaau mein.
  2. Dusra option ye k weekly 2 updates du, aik Tuesday aur Dusra Saturday ko. Chunke distract is wajah se bhi hoga but kam hoga aur mere liye bhi ye asan hoga.
So from now, update Tuesday aur Saturday ko aya karega. Ya agar aap logo ko ye sahi nahi lagta to tell me. Mein filhal stop kar dunga story aur baad mein start karunga dubara.

Note : Ye koi na kehna k weekly 2 din hi update de rhe ho to ziada updates do. Kyunke jab sahi lagega mein 2/2 updates de diya karunga warna 1 per day.
 
Questions
Kya lagta hai dosto Durrani konsa game khel rha hai aur konsa shock dene ki baat kar rha tha ?

Durrani k intensions kya hain ?

Shaheer pe hamla kisne karwaya hoga aur kyu ?

Reward
Jo in 4 questions k sahi ya atleast qareebi jawab dega, usko next update post karne se pehle pehle bhej dunga. (Wednesday ya Thursday tak)
 
Newbie
92
271
53

Durru bhai kya kahen aap ko mera to dil hi tor diya aap ne :cry2:

Aap ne kaha tha ke shaheer ki zindagi men koyi larki aaye gi aur hum samajhne lage ke koyi lover ho gi jo shaheer ki heroin bane give:kissie:pher aap aliya ko le ke aaye hum ne samja ke ye shaheer ki lover bane gi par aap ne use shaheer ki chhoti behn bana diya chalo hum ne soch aliya na sahi fashma shaheer ki lover bane gi aur aap ne bhi shaheer aur fashma ke beech pechle update men kya seen bnaye dono ka ek dosre ka khayal rakhna sath men waqht betan wagera aur end men kiya peyar ka izhaar ....

Per agle hi update men sunne ko mila bhaiya :cry4: kya he achhe se khela he hamare jazbaton se :angry::devil:sach puchho mera dil to ker raha he lke :tank::gun_fighting::starwars:cantrol sanwal cantrol ...
 
Newbie
92
271
53
Important Announcement !
Guys ye cheez tum logo ne bhi notice kiya hi hoga k mein irreguler hu kafi time se. Iske peeche main reason ye hai k mein boht ziada busy hota hu. Pura din busy rehta hu phr sure nahi hota k raat ko update de paau bhi ya nahi but time nikalna parhta hai. In short mein aik exam k liye preparation kar rha hu I myself don't know k kitne mahine lagenge mujhe preparation complete karne mein. Aise mein daily story ka update dena mere liye distraction ka bayis ban raha hai. Even i discussed it with Dragon aur mere paas do hi options the.
  1. Pehla option ye k Filhal k liye story stop kar du aur jab free ho jaau tab wapas continue karu. Jaise k meine bataya mujhe khud bhi idea nahi k kab tak free ho jaau mein.
  2. Dusra option ye k weekly 2 updates du, aik Tuesday aur Dusra Saturday ko. Chunke distract is wajah se bhi hoga but kam hoga aur mere liye bhi ye asan hoga.
So from now, update Tuesday aur Saturday ko aya karega. Ya agar aap logo ko ye sahi nahi lagta to tell me. Mein filhal stop kar dunga story aur baad mein start karunga dubara.

Note : Ye koi na kehna k weekly 2 din hi update de rhe ho to ziada updates do. Kyunke jab sahi lagega mein 2/2 updates de diya karunga warna 1 per day.
Questions
Kya lagta hai dosto Durrani konsa game khel rha hai aur konsa shock dene ki baat kar rha tha ?

Durrani k intensions kya hain ?

Shaheer pe hamla kisne karwaya hoga aur kyu ?

Reward
Jo in 4 questions k sahi ya atleast qareebi jawab dega, usko next update post karne se pehle pehle bhej dunga. (Wednesday ya Thursday tak)
Abhi mera mood bahut kharab he :angry: in sawalon ke jawab men subha ko don ga:wakeup2:
 
expectations
22,435
14,672
143
Important Announcement !
Guys ye cheez tum logo ne bhi notice kiya hi hoga k mein irreguler hu kafi time se. Iske peeche main reason ye hai k mein boht ziada busy hota hu. Pura din busy rehta hu phr sure nahi hota k raat ko update de paau bhi ya nahi but time nikalna parhta hai. In short mein aik exam k liye preparation kar rha hu I myself don't know k kitne mahine lagenge mujhe preparation complete karne mein. Aise mein daily story ka update dena mere liye distraction ka bayis ban raha hai. Even i discussed it with Dragon aur mere paas do hi options the.
  1. Pehla option ye k Filhal k liye story stop kar du aur jab free ho jaau tab wapas continue karu. Jaise k meine bataya mujhe khud bhi idea nahi k kab tak free ho jaau mein.
  2. Dusra option ye k weekly 2 updates du, aik Tuesday aur Dusra Saturday ko. Chunke distract is wajah se bhi hoga but kam hoga aur mere liye bhi ye asan hoga.
So from now, update Tuesday aur Saturday ko aya karega. Ya agar aap logo ko ye sahi nahi lagta to tell me. Mein filhal stop kar dunga story aur baad mein start karunga dubara.

Note : Ye koi na kehna k weekly 2 din hi update de rhe ho to ziada updates do. Kyunke jab sahi lagega mein 2/2 updates de diya karunga warna 1 per day.
Story rokna mat chalne do weekly bhi chalega.. story rok dene se wo baat na rah jati fir reader bhulne lagte story aur ummid bhi toot jati ki story complete hogi bhi ya nai
 
Top