Thriller अंजाम-ए-आशिक़ी (Completed)

Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
pehle to laga ki adhure pyar, chaahne wale ko khone ka dard , krodh aur pratishodh pe adhaarit hai ye kahani... Lekin kahani ke ant hote hote isne comedy ki aurr rukh kar li :lol:
Itni hanshi aa rahi hai revo bhi nahi likh pa rahi hun...
Chaliye phir bhi koshish karti hun..

Pyar kya hota hai... iska sahi definition koi nahi de sakta, par itna to sabhi jaante hai ki Pyar ka matlab hai fikar karna, care karna, bhavnatmak roop se jude rahna, full of emotions , ek duje ki feelings ko samajhna, ek duje ko kadar karna, jaan se zyada chaahat ek duje ke liye, kabhi koi jor jabardasti nahi ... ek dusre ke faisle ko samman ki nazar se dekhna etc etc...

Is kahani mein vansh jis umar jis daud se gujar raha tha, us umar mein log akshar attraction wali bhanwar mein fansh jaate hai... wo log sochte hai ki yahi pyar ishq mohabbat hai... Kayi mamlo mein un mein ek junun bhi dekhne ko milte hai.... aur ziddipan had se zyada.....
Simple bhasha kahu to ek bachhe se koi dusra bachha chocolate chin le to kya hoga .... zyadatar mamlo mein jalan aur gusse ke chalte ladayi hi hogi...
vansh ke mamle mein bhi yahi hua tha.... Lekin fark ye tha ki wo chocolate koi jinda cheej nahi hai, aur yahan vansh ke mamle mein uski chaahat koi chin raha tha... jisko pagalo ki tarah chaahta tha...
Par ye baat bhi sau taka sach hai sabse badi galti yahan vansh ki jitni thi utni hi galti kirti ki bhi thi... aur sath hi thodi bahot galti vansh ke dad ki bhi thi... Jiske chalte vansh ke dad aur kirti ka anjaam itna bura hua... vansh kaatil ban baitha .. In fact jaane anjane mein apne hi pita ka hatyara ban baitha ... aur ye mahapaap kyun hua ...un galtiyon ke chalte....
Kirti duniya dekh chuki hai... ushe apni jindagi mein bahot se logo se mulakaat huyi... achhe bure sabhi se.. ushe parakh thi achhe bure insaan ki...
wo ye bhi jaanti thi ki vansh abhi jis umar mein hai ye padhayi karne ki hai... na ki kisi ladki ke sath pyar mohabbat mein girke life barbaad karne ki...
Phir bhi usne vansh ke sath jismani rishta banaya... mana ki uski bhi kayi jarurat thi ...lekin ye jo vansh baar baar shaadi karne ki baat kehta tha...usko ye baat samajhni chahiye thi ki vansh koi mazak nahi kar raha tha..
is umar mein log jab favorite cheej na mile to aksar junun sawar ho jata hai paane ke liye .... ab chahe wo cheej ho ya phir jinda insaan... na milne par ek zidd dilo dimag pe cha jata hai... aur vansh ki is feeling ko wo bhali bhanti samajh gayi thi.... Phir bhi usne vansh ke baaton ko har baar lightly liya.... jab sabkuch dono bich thik tha tab bhi aur jab wo vansh se alag hoke shaadi karne jaa rahi thi tab bhi....Kirti ne ek kachchi umar ke jo ki abhi abhi jawani mein kadam rakha tha, usse sex relation banakar jis aag se khelna shuru kiya usme uska daaman hi nahi balki Uski jindgi hi jal gayi ...
Haan ek baat to sach hai ki koi bhi nahi soch sakta tha ki vansh sach much hatyara ban jaayega....
Vansh ki galti ye thi ki pehle to apne se bahot badi umar ki aurat ko dil de baitha, usne jo jo kaha wohi karta gaya... aur kirti ke sath jismani sambandh se hi is kadar uske jishm ko chaahne laga ki ab usse bardaasht nahi ho raha tha kirti ka jishm ab koi aur bhogne wala hai... isliye ye hatyakaand kar baitha...
jee haan ye koi ruh talak pyar nahi balki ek tarah se jishm ki cha thi...

actually ushe bahot pehle ye baat saaf saaf labjo mein clear kar leni chahiye thi ki kirti usse Shadi karegi ki nahi....waise vansh jis umar mein tha,aksar hormones kuch zyada hi ubal maarte hai... Kayi mamlo mein log aksar badi galtiyaan bina jhijak ke , bina soche samjhe isi umar mein kar baithte hai... Na milne par koi bhi kadam uthane se Hichkichate nahi.. ek tarah ki ek zid dilo dimag mein cha jaate hai...
Zid,hawas ,Junun aur pagalpan ke chalte Vansh ye nahi dekh pa raha tha ki ye sab karne se aage uski study, uski carrier, uski future pura kharab ho sakta hai.. yaha tak ki uske dad jisne ma-baap dono ka hi pyar diya ushe, unke bare mein bhi nahi soch ek pal liye...

Vansh ki dad ki galti....waise unki galti itni badi na thi, lekin wo kehte hai na chhoti se chhoti galti bhi bahot bhari nuksaan pahuncha sakti hai. unke sath bhi yahi hua...unhe pehle hi bata dena chahiye tha vansh ko ..

Kul milakar baat ye hai ki TheBlackBlood is kahani ke jariye yahi baat darshane koshish ki hai... ki agar waqt pe saari baat clear na ho to aage chalkar bahot badi musibat mein insaan fansh sakte hai...
aur ye bhi darshane ki koshish ki hai.... Ki ek nadan , ziddi ka ya phir ye kahi jaaye ki ek kam umar ke bewakoof ke feelings ke sath khilwaad karna ka natiza kabhi kabhi jaan maal ka bhi nuksaan ho sakta hai... :D
Aur dono mamlo mein writer sahab kamyaab rahe... unhone bahot saralta se kabile tarif tarike se in baaton pesh ki hai.. jo apne ap me bemisaal hai... aur unki har kahani ki tarah ek bahot badi sikh bhi de gayi hai :bow2:

Brilliant story line with awesome writing skills.... :yourock: :yourock:
Thanks for this beautiful feedback and appreciation... :hug2:
Btw itna zyada pravachan to maine bhi na diya tha story me jitna ju ne de diya. :lol: Ju ko to professor hona chahiye tha :D
 
Bᴇ Cᴏɴғɪᴅᴇɴᴛ...☜ 😎
1,621
5,929
143
Waise vansh, vansh ke dad aur kirti in teeno ne aisi galti ki.... Ki ant teeno ki aisi ki taisi ho gayi :lol1: do mar gaye aur ek pachtawe ki aag mein jalega..
actually life mein kaise unexpected ghatanaye ghat jaati hai... jiske bare kabhi socha bhi nahi sakta koi.... isipe adharit hoti hai reality base pe likhi gayi kahani... Kyunki aane wala pal kounsa mod le ke aaye jindagi mein... "real life mein" vidhata hi jaante hai aur "stories pe kirdaaro ki jindagi mein " writers hi jaante hai...
Jaise 2020 ke suruwati daud mein jo hua tha, (covid ) jo mahol bana tha, jo ab bhi kayam hai... log ek dar ke saaye mein jee rahe hai.... kya kabhi kisine socha ki aise mahol bhi ban sakta hai.... thik waise stories mein bhi kirdaaro ke sath aisi ghatanaye ghat jaati hai ya mahol ban jata hai jo un kirdaaro ke liye soch se bhi pare ho.... ek khushhaal, masti mazak se bhari jindagi jine wala vansh ... kabhi socha usne ki wo hatyara ban baithega...

hume in kirdaaro ki galtiyo se bhi kayi sikh milti hai.... inki galtiyo ki tarah hum bhi kayi galtiya karte hai real life mein....
Khair.. in kirdaaro ki galti writers sudhar bhi de shayad... lekin real life mein ki gayi galti ko shayad sudharne ka mauka hi na mile.....
isliye koi bhi galti karne se pehle in kirdaaro dwara ki gayi galtiyo ko dekh leni chahiye aur galtiyo ka natiza bhi... Shayad real life mein anchahi galtiya karne se bach jaye.... :booze: (social distance maintain)
Jeewan me jab tak ham kisi cheez ko hota hua pramaad ke sath nahi dekhte tab tak ham kisi cheez ko samanyatah except nahi karte lekin iska matlab ye nahi ho sakta ki waisa kuch ho nahi sakta. Duniya bahut badi hai aur logo ki soch aur mansikta bhi tarah tarah ki hoti hai. Waqt aur halaat aise bhi mod akhtiyaar kar lete hain jab ham aisa kuch kar jate hain jo normally ham soch bhi nahi sakte. Is kahani me vansh ne jo kiya wo zid gussa aur hatasha ke chalte kiya....kahne ka matlab ye ki uske saamne aise halaat ban gaye ki wo aisi maansikta ka shikaar ho gaya jiske chalte usne do do hatyaye kar di lekin zara socho aise halaat me kya wo log bhi aisa nahi kar sakte jo mature hote hain aur jinhe duniyadari ka gyaan hota hai???? Insaan galtiyo ka putla hai...sabse galtiya hoti hain kyoki wo aise waqt aur halaat me fans kar us maansikta me pahuch jate hain. Haan aise me ek seekh zarur milti hai ki agar hamare saamne aise halaat aa jaye to hame un halaato me apna vivek nahi khona chahiye balki thande dimaag se halaat ki nazaaqat ko samjhe aur fir jo uchit ho wo faisla kare. Khair is kahani me zyada kuch nahi tha lekin aisi ghatna ko zarur pesh kiya jo real me hoti hain. Mera maksad sirf yahi tha ki is kahani ke jariye log samjhe ki agar unke saamne aise halaat aa jate hain to unhe vansh ki tarah apna aapa nahi kho dena hai balki thande dimag se sahi galat ka faisla kare... :D
 

Top