Fantasy ATTITUDE.....( MAGIC + ROMANCE ) (Completed)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM AND FRIENDS KA MIRRORS WORLD ADVENTURE SAFALTA PURV KHATM HOTA HAI
AG AAGE:-










FINAL CHAPTER






(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)







UPDATE-109









PLANET-EARTH








PLACE-MINAKSHI MANSION










KYA BAAT HAI???AAJ BOHOT DINO BAAD APNI MAA KI YAAD AAYI.......

par maine MOM ki baat sun kar bhi kuch nahi kaha bas unki godh me sir rakh leta raha....


subah ka waqt hai....MIRRORS WORLD ke adventure ko pura kar hum sab kal raat hi wapas loute the....

SHAILA MOKALSAR aur AKSHAANT ko maine sidhe VRIHAKH bhej diya tha...

wahin RONIT aur AVANTIKA ko maine aaj subah mere ghar me milne ka bol unke unke room me teleport kar diya tha....

subah normal time par dhyan me kuch der baithne ke baad mai jab niche aaya toh mom ko sofe pe baith newspaper padhte dekha....

mom ko saamne dekh dil kiya ki unki godh me letun toh mai leth gaya.....

aaj najaane kitne dino ke baad mai apni mom ki godh me yun sir rakh kar leta tha....mai is waqt ko pure dil se mehsoos karna chahta tha....isiliye mom ki baat ka maine koi jawab nahi diya....

par meri chuppi se mom ko laga jaise mujhe koi tention hai aur is soch ke ubharte hi wo ghabra gayi....


MOM-kya hua baccha...koi tention hai kya???


MOM ne mere maathe par haath ferte hue apni baat kahi.....

MOM ki awaaz me ek fikr thi jisse mehsoos karte hi meri aankhen khul gayi....

maine mom ke chehre ko dekha..is waqt unke maathe par chinta ki rekhayen ubhri hui thi...

mai jaanta tha ki is chinta ki asli wajah sirf meri chuppi nahi hai....iski fikr ki asli wajah mera kuch mahine pehle ghar chhodkar jaana tha....

jab se mai louta hun,mom ko hamesha andar hi andar ye dar satate rehta hai ki mai kahin waisa hi koi kadam fir se na utha lun.....aur isiliye......


MAI-koi tention nahi hai mom...bas aaj dil kiya aapke godh me sir rakhne ka toh rakh liya....


meri baat sun mom ke chehre par smile aa gayi aur wo mere baalon par apne haath ferne lagi jisse meri aakhen firse band ho gayi....

LORD OF ANGELS.....meri pehchaan....wo pehchaan jiske chaaw tale har koi surakshit mehsoos karta hai.....

mom ki godh me is waqt mujhe bhi wahi surakhsa wahi safety mehsoos ho rahi thi....


KYA BAAT HAI???AAJ MERE BACCHE NE MERI HI JAGAH LE LI......

awaaz sun maine muskurate hue apni aakhen khol di....ye awaaz mere dad ki thi jo apna gym finish kar hamare paas hi aa rahe the....


MOM- aapki jagah???ye jagah aapki sirf tab tak thi jab tak mera baccha paida nahi hua tha....samjhe....

DAD- arre aise kaise???registry hamari aur jagah hamare bete ki.....!!!!!

MAI-dad,mom ki godh aur aapka kandha,in dono par hi sirf mera hak hai....toh is par no behes.....



meri baat sun dad aur mom dono has diye....


MOM-yaad hai bachpan me VICKY ya toh aapke kandhe par chadha rehta tha ya fir meri godh me leta....

kisi kaam ki wajah se mai isse apni godh me naa uthaun ya fir aap isse apne kandhe par naa uthayen toh iska mooh ful jaata tha....

DAD- bilkul yaad hai..aur sach kahun toh jab tak ye mere kandhe par nahi chadhta tha,mujhe bhi sukun nahi milta tha...

din bhar mai site par kaam dekhta tha...ghar aate aate kaafi thakan mehsoos hone lagti thi par jab tak VICKY mere baalon ko kheenchte hue mere kandhe par nahi chadhta tha,mujhe sukoon nahi milta tha....

dad ki baat sun mom muskura di par tabhi...


DAD-beta,mom ki godh me toh tu let liya...ab ek baar apne baap ke kandhe par bhi chadh jaa....mai wahi purana sukoon ek baar firse mehsoos karna chahta hun....

dad ki baat sun mom zor se has padi...


MOM- kaisi behki behki baatein kar rahe hain aap...aapka beta ab koi chota bacha nahi raha..kadh me aapse bhi lamba ho gaya hai....

isse kandhe par uthayenge aap????


DAD-haan toh kya hua????jitna bada bhi ho jaaye,rahega toh mera beta hi....haan thoda zyada bhaari ho gaya hai,par mai manage kar lunga....

MOM- thoda bhaari...apna pura vazan agar isne aap ke upar daal diya naa toh aapke kamar ki halat kharab ho jaayegi...

DAD- aisa kuch nahi hoga..aaj beta,chadh jaa mer kandhe par..


ye bol dad sach me sofe ke neeche baith gaye taaki mai unke kandhe par baith sakun...



MOM- arre ye kya zidh lekar baith gaye aap...aap VICKY ko nahi utha paayenge ulta aapki kamar me moch aa jaayegi....

MAI- relax mom..kuch nahi hoga.......



ye bol mai uth kar baith gaya....isse pehle ki mom kuch kehti,maine apni baat kahi...aur turant mai dad ke peeth par dono pir aage rakh baith gaya aur agle hi pal......

mom ko ek jhatka laga..jhatka sirf mom ko hi nahi khud dad ko bhi laga tha



aur reason....mere peeth par baithathe hi dad ek jhatke me khade ho gaye...

mai peeth par baitha hun ye dhyan me rakhkar dad apne pairon par pressure dekar khade hue the taaki mera bhaar sambhal sake par jhatka unhe tab laga jab unhe mere bhaar bas halka sa hi feel hua tha...

wo bade araam se mujhe apne peeth par bithaye khade ho gaye aur unhe aisa karta dekh mom bhi surprised ho gayi....



MOM-ye aapne kaise kiya???aap itni asaani se VICKY ko liye kaise khade ho gaye???

DAD- mujhe toh VICKY ka bhaar hi thik se pata nahi chal raha...aisa lag raha hai jaise maine apne ussi bachpan waale bacche ko uthaya hai...

MAI- aapke liye toh mai aapka bacha hi hun naa dad..ab ye sab chhodiye aur mujhe baahar lawn me waise hi ghumayiye jaise bachpan me ghumaya karte the....



MOM- arre beta kandhe par uthana alag baat hai aur
uthakar ghumana alag....

DAD- arre kuch nahi hota....maine kaha nahi ki mujhe VICKY ka wazan pata hi nahi chal raha hai....



ye bol DAD aage badh gaye....ghar ke saare servents including MARTHA aunty bhi dad ko mujhe yun lift karte dekh khush bhi the aur shocked bhi....

jahan ek taraf mujhe yun kandhe par uthakar dad bohot khush the wahin mom ghabrayi hui si dad ke piche ho li...

dad mujhe uthaye bahar lawn me pahunch gaye jahan par is waqt DADAJI baithe hue the...

wo bhi dad ke upar mujhe yun baithe dekh shocked ho gaye.....



DADAJI- arre ye kya ho raha hai....????

MOM- dekhiya naa papa,inhone zidh ki ki apne bete ko bachpan ki tarah ek baar firse apne kandhe par baithakar ghumayenge aur ye VICKY bhi bina kuch soche chadh gaya apne dad ke peeth par...

mai kabse in dono ko mana kar rahi hun par ye baap bete maan hi nahi rahe....

mom ko laga ki dadaji unki baat sun mujhe aur dad ko daatenge par.....



DADAJI-kuch nahi hota beta...apne bete ko apne kandhe par uthane ka maza tu nahi samjhegi.....

par maanana padega beta...tune VICKY ko aise hi apne kandhon par utha liya aur ab usse uthaye uthaye ghum bhi raha hai....

DADAJI ki baat par dad aur unke saath mai bhi muskura diya par hum dono ke muskurahat ki wajah alag alag thi....

jahan dad mujhe aaram se utha paane ki khushi me muskura rahe the wahin mai isiliye kyunki dad ke mujhe yun aaram se uthane ki wajah sirf mai jaanta tha...

mera wazan maine hi kam kiya tha taaki dad ko taklif naa ho.....

dad mujhe uthaye aage badhne hi waale the ki....



PAPA MAI BHI......MUJHE BHI GODI LO......



ye awaaz AASHI ki thi jo hamare piche se aayi thi....

wo daudti hui humare paas aa rahi thi...aur isse pehle ki mom kuch kehti,AASHI halki si uchli aur dad ne usse bhi apne dono haathon se pakadte hue godh me le liya...

waise toh AASHI ka wazan kuch zyada nahi tha par maine uska wazan bhi kuch kam kar diya tha....

jahan AASHI ko dad ke godh me dekh mom ne apna maatha peet liya wahin DADAJI has diye...

AASHI ko godh aur mujhe peeth par liye dad ne pool ka ek chakkar lagaya..ab mom bhi dad ke piche naa aakar DADAJI ke paas hi khadi ho gayi...

wo bhi haste hue dad ke ya fir ye kahun ki hum teeno ke bachpane ko dekh rahi thi....

pool ke do chakkar kaatne ke baad mai aur AASHI dad ke peeth aur godh se utar gaye......



iske baad kuch khaas nahi hua...mai AASHI ke saath khelne laga aur DAD mom aur DADAJI ke saath baahar lawn me hi baith gaye....

kuch der baad mai apne room fresh hone gaya aur bath lekar niche aaya..

Maine apna breakfast khatm hi kiya hi tha ki itne me RONIT pahunch gaya....

RONIT ke pahunchne ke 10 minute baad mujhe pata chal gaya ki AVANTIKA bhi 2 minute baad pahunchne waali hai isiliye mom ko batakar mai RONIT ko lekar baahar aa gaya....

hum dono gate se nikal ghar ke baahar khade hi hue the ki itne me AVANTIKA ki car humare saamne aakar rooki.....



AVANTIKA-tum dono baahar....!!!!

RONIT-bhool gayi kya ki aapke hone waale pati parmeshwar antaryaami hain....unhe pehle hi pata chal gaya tha ki unki dile gulzar pahunchne waali hai toh isne apne saath saath mujhe bhi chowkidaar ki duty dekar yahan khada kar diya....

MAI- shukr mana ki issi bahane tujhe job toh mili..warna din bhar toh tune vella hi ghumna hai.....

RONIT- haan,tu bada collector lag gaya kyun????

MAI- lag jaata par usse pehle hi tu mil gaya aur mera shani bhaari ho gaya....

AVANTIKA- tum dono thakte nahi ho kya din bhar ladte ladte...

MAI- ab aap apne hisse ka pyar hume deti nahi toh uska kuch toh side effect hoga naa...



meri baat sun jahan AVANTIKA sharma gayi wahin RONIT zor se has diya....



RONIT- bhai,tum dono ke romance karne ke liye puri zindagi padi hui hai...filhal mujhpar bhi dhyan do...

yaar V.J jab se ye shakiyan mujhe mili hain,mai inhe mehsoos karne ke liye tadap raha hun..

kal raat bohot baar try bhi kiya ki in shaktiyon ko ujagar kar inhe feel karun par kar nahi paaya...



MAI- jaanta hun..aur un teeno ne bhi kal yahi koshish ki hai aur isiliye hi maine teri aur un teeno ki shaktiyon ko bhi baandh diya tha..

mujhe pata tha ki tum sab
apna apna sadha hua dimag zaroor lagaoge.....jaanta hai agar kal maine tum chaaron ki shakti nahi baandhi hoti toh kya hota???

kyunki tujhe milne waali shakiyan abhi tere bas me nahi hain isiliye tere unhe yaad kar ujagar karte hi wo shaktiyan disbalance ho jati...

jisse tu unhe sambhal nahi paata aur is wajah se teri shaktiyan tujhe hi nuksaan pahuncha deti...

itna hi wo shaktiyan tere ghar ko bhi khandar me badal deti...

RONIT- oye teri ki....toh saale tune mujhe pehle kyun nahi bataya???agar galti se mujhse meri shaktiyan ujagar ho jaati toh???

AVANTIKA- duffer,V.J ne teri aur un teeno ki shaktiyan kisi rassi se nahi baandhi thi jinhe tu tod kar apni shaktiyon ko azaad kar deta...

usne tum chaaron ki shaktiyan apni shakti se baandhi thi jisse jab tak V.J naa chaahe ,koi tod nahi sakta....

RONIT- haan wo toh hai....par kya karun yaar,jab se ye nayi shaktiyan mili hai,inhe mehsoos karne ke liye mai tadap raha hun....

MAI- thoda sa rook jaa,teri ye tadap toh khatm ho hi jaayegi par saath hi ek nayi tadap bhi tujhe mil jaayegi...

RONIT- hain!!!iska kya matlab hua???

MAI- sab pata chal jaayega beta..pehle wahan chalte hain jahan tum chaaron ko apni shaktiyon par kaabu paana sikhna hai....

SHAILA,AKSHAANT aur MOKALSAR pehle hi wahan pahunch gaye hain.....

RONIT- kahan,MAGICAL DIMENSION me...

MAI- ye koi normal fighting practice nahi hai jo MAGICAL DIMENSION me ki jaaye...

tumhare andar ki shaktiyan aloukik hain..inhe kisi bhi magical jagah par control karna nahi sikha jaa sakta....

yahan tak ki kisi normal PLANET ne bhi aisa karna bohot khatarnaak hoga....kyunki jaise hi mai in shaktiyon ko bandhan mukt karunga,ye asantulit ho jaayegi..

ye shaktiyan naa sirf tum sab par haavi hongi balki aas paas ki sabhi jagahon par bhi inka asar hoga....

RONIT- phir hum kahan isse control karna sikhenge....????

MAI- sab batata hun.....pehle yahan se chalo......



ye bol mai AVANTIKA ki car me baith gaya..mere piche piche AVANTIKA aur RONIT bhi car me baith gaye aur hum sab paas ki hi mall ke taraf nikal pade...

mall ki parking me humne gaadi park ki aur agle hi pal hum teeno gaayab ho chuke the...

par hamare gaayab hone ke agle hi pal hum teeno ke CLONES wapas hamari car me prakat hue.....

aur mere CLONE ne car wapas baahar ki taraf nikal di.....

wahin gaayab ho hum ek nayi jagah pahunche jahan mere baaki ke teeno dost pehle se hi khade the....

maine hi un teeno ko unke grah se antardhyan kar yahan pahunchaya tha aur un teeno ke dimag se jud unhe hamara intazar karne ko kaha tha....

hume apne saamne dekh teeno ke chehre par muskaan aa gayi par un sab ke aakhon me bhi wahi sawal tha jo is waqt RONIT ki aakhon me tha....

sabhi mujhse is bare me puchne hi waale the ki...



MAI- toh doston,waqt aa gaya hai ki tum sab apni apni shaktiyon ko niyantrit karna sikho...

aur ek baat batadun ki is kaam me mai tum sab ki koi help koi sahayata nahi karne waala...

jis tarah tum sabne apne dum par MIRRORS WORLD ki chunoutiyon ko paar kiya aur in shaktiyon ke maalik bane,thik waise hi tum sab ko ab firse ek baar apne dum par apni shaktiyon par niyantran karna sikhna hoga....

waise is kaam me tumhari jaan ko koi khatra nahi hai kyuni niyantrit ya aniyantrit,shaktiyan toh tumhari hi hai..

haan,par jab tak tum apne andar ki shaktiyon ko control karna nahi sikhte,tab tak ye tumhe lagatar nuksaan pahunchayengi..

par is jagah ki shakti ki wajah se ye shaktiyan apni hadh paar nahi karengi.....

SHAILA- thik hai..hum khud apni shaktiyon ko koniyantrit karna sikhenge..par kamsekam itna toh batao ki aakhir ye jagah hai kaunsi aur is jagah ki aisi kya khasiyat hai jiski wajah se humari shaktiyan tak apni hadh nahi todengi....???



SHAILA ka sawal baaki teeno ka bhi tha...sabhi meri taraf sawal bhari nazaron se dekh rahe the...



MAI- is jagah ki khaasiyat tum sab khud dekh lo.....


ye bolo maine apna haath aage kiya..mere aisa karte hi mere haathon se chaar rays nikli aur mere doston ki taraf badh gayi....

aur jaise hi un rays ne mere doston ke bodies ko chua,mere doston ko ek tez jhatka laga aur agle hi pal....

mere doston ki shaktiyan azaad ho chuki thi....aur aisa hote hi mere doston ki bodies halki halki vibrate honi shuru ho gayi par isse pehle ki wo shaktiyan disbalance hokar mere doston par haawi hoti,maine apna haath firse aage kiya...

mere aisa karte hi mere doston ki shaktiyan bandhi toh nahi par ek jagah pahunch rook si gayi....



MAI- neeche dekho...



mere bolte hi jab mere doston ne neeche dekha toh sabhi shocked reh gaye....



reason.....mere doston ke ird gird zamin se ek white dhuan uth raha tha....



AKSHAANT- ye toh......

MAI- WHITE ENERGY hai.....ye puri jagah WHITE ENERGY se ghiri hui hai..tum sabke andar ki urja ke bandhan mukt hote hi yahan par base WHITE ENERGY ko iske baare me pata chal gaya..

inhe ye bhi pata chal gaya ki tumhare sharir ke andar basi WHITE ENERGY abhi stable niyantrit nahi hai....

agar maine tumhare andar chuppi urja ko ek jagah nahi roka hota toh wo tumhare sharir ke har hisse me fail jaati aur kyunki abhi tumne unpar puri tarike se kaabu nahi paaya hai isiliye wo tumhare sharir ko bohot nuksaan pahunchati....

par is jagah par moujud WHIETE ENERGY ki wajah se tumhara sharir us nuksaan ko jhel leta isiliye mai tum sab ko yahan lekar aaya taaki jab tum apne shaktiyon par niyantran karne ki koshish karo,toh us kriya ke hote waqt tumhe kam se kam nuksaan ho.....

mai tumhare urja ko firse behne ki ijazat dene waala hun...ek jagah baith apni aankhen band karo aur apni andruni urja ko mehsoos kar
usse apne chit se jodne ki koshish karo...

jaise hi tum sab apne sharir me behte urjo ko apne dimag se jod paane me kaamiyab ho jaaoge,tum sabka apni shaktiyon par niyantran ho jaayega....

mai aur AVNI filhaal jaa rahe hain....hum dono tabhi loutenge jab tum sab apni shaktiyon par kaabu paa chuke hoge.....



RONIT- thik hai bhai..par kamsekam jaate jaate is jagah,is PLANET ka naam toh bata jaa.......



MAI- YELUPTUS......






PLANET-MONSLICKEL





PLACE-ASMODEUS PALACE






FATHER,VIKRAM NE MIRRORS WORLD KI CHUNOUTI PAAR KAR LI......



ASMODEUS-PUCH RAHE HO YA BATA RAHE HO.....?????



BEELZEBUB ki baat par jab ASMODEUS ne apni baat kahi toh BEELZEBUB hadbada gaya.....

usse samajh aa gaya ki aawesh me aakar aur adeertawash usne ASMODEUS jisse koi baat nahi chhupti,uske saame naasamjhon waali baat kar di hai....

par isme BEELZEBUB ka bhi koi dosh nahi tha.....VIKRAM ko lagatar har chunouti ko yun aasani se paar karta dekh wo vichlit sa ho gaya tha....



BEELZEBUB-FATHER,kya mai kuch puch sakta hun???



BEELZEBUB ki baat sun ASMODEUS muskura diya..wo jaanta tha ki BEELZEBUB kya puchna chahta hai fir bhi usne haan me apna sir hila BEELZEBUB ko sawal puchne ki anumati di....



BEELZEBUB-FATHER,aapke kahe anusar jab maine MIRRORS WORLD me maayajaal bichaya aur ek diwal banakar uske upar do do maayavi talwaare latkayi...

wo dono talwaaren sirf chhal aur VIKRAM ko chakrvyuh me fasane ke liye nahi thi,balki wo dono talwaren asal me drishti darpan the jinki madad se hum VIKRAM MIRRORS WORLD me jo bhi karta hai,usse dekh paate aur saath hi AGRASENA ke talwar ka rahasya bhi jaan paate....

par jaise hi VIKRAM asli talwar ke paas pahuncha toh humari maaya ne kaam karna kyun band kar diya....???

jabki hamari dono maayavi talwaren tab bhi MIRRORS WORLD me surakshit thi,fir bhi hamari maaya toot gayi......

Par jaise hi VIKRAM ne us talwar ko haasil kiya,toh hume wahan ka drishya firse dikhne laga....aisa kaise hua???

BEELZEBUB ki baat sun ek baar firse ASMODEUS ke chehre par muskaan aa gayi aur.....



ASMODEUS-jis SWORD me itni taakat ho ki wo ASMODEUS ke aage tak samarpan naa kare,kya wo tumhari bichayi maamuli si maaya ko tod nahi paayega???

BEELZEBUB-fir aapne mujhe waisi maaya rachne ke liye kaha hi kyun tha????

ASMODEUS-wajah wahi thi....us SWORD ka rahasya jaanana....aur kisne kaha ki maayavi talwaron ne apna kaam nahi kiya...

hume drishya dikhne band hone se pehle hi unhone apna kaam kar diya tha....


ASMOSEUS ki baat BEELZEBUB ko bilkul bhi samajh me nahi aayi....usne kuch kaha toh nahi bas aakhon me sawal liye apne FATHER ki taraf dekhne laga....

BEELZEBUB ko kuch bhi samajh me nahi aaya tha is baat se ASMODEUS bhi awgat tha aur isiliye......



ASMODEUS-VIKRAM ke chute hi SWORD ne tumhari maaya ko tod diya par ye kriya hone se pehle hi SWORD ne apni asliyat saamne laa di thi....

jin do maayavi SWORDS ko tum MIRRORS WORLD me chhod kar aaye the,un SWORDS ki maaya drishti sirf asli SWORD tak hi simit nahi thi balki uski drishti pure MIRRORS WORLD pe thi....

aur jaise hi VIKRAM ne hamare chakravyuh me kadam rakha,toh uske seene ke beech ek hulchal hone lagi.....

kyunki VIKRAM hamare maayajaal ke andar tha isiliye mujhe uske sharir me ho rahe har parivartan ka pata chal raha tha....

VIKRAM ke andar yun achanak hone waali hulchal ko mai samjhne ka prayas kar hi raha tha ki thik tabhi mujhe ussi waqt AGRASENA ki SWORD me bhi hulchal hote dikhe aur saath hi achanak uske andar chhupi shaktiyan ujagar hone lagi....

aur tab mujhe sab samajh me aa gaya....VIKRAM ke andar jo SPEAR hai,usne aur SWORD ne ek dusre ko mehsoos kar liya tha,jiski wajah se dono bekabu ho rahe the par VIKRAM ki shaktiyon ki wajah se wo ek dusre ke paas nahi pahunch paa rahe the...

aur jab VIKRAM hamari saare chakravyuh ko tod SWORD ke saamne pahuncha,toh SWORD aur SPEAR ki shakti ko maine mehsoos kiya tha aur tab mujhe samajh me aaya ki SPEAR aur SWORD ki shaktiyan ek jaisi hain jiska arth ye tha ki wo SWORD AGRASENA ki nahi balki VIKRAM ki milkiyat hai.....

isiliye maine kaha tha ki drishya dikhne band hone se pehle hi un maayavi talwaaron ne apna kaam kar diya tha....



ASMODEUS ki baat sun BEELZEBUB ne samajhne waale tarike se haan me apna sir hilaya....



BEELZEBUB-FATHER,ye saari chizen mai kyun nahi dekh paaya????

ASMODEUS-tum bhale hi mere putr ho BEELZEBUB par tumhare paas ASMODEUS ki nazar nahi hai....

tum wahi dekhte ho jo dikhta hai,par mai wo bhi dekhta hun jo chupa hua hota hai....

BEELEZBUB- aur VIKRAM ke dost...unka kya karna hai???

ASMODEUS- unka kya????

BEELZEBUB- FATHER,pehle wo sirf aam yodha the kintu ab unke andar aloukik shaktiyan hain....aisi shaktoyan jo sirf ek ANGEL ke andar hoti hai....

aisi aloukik shaktyon ke swami hone ka unhe koi HAK nahi....



BEELZEBUB ki baat sun ASMODEUS ke chehre par ek muskaan tair gayi.....



ASMODEUS- HAK!!!!!



mere ek sawal ka jawab do???is bramhaand ke aneko jeevan dayi grahon me kul kitne DHARM hain....????



ASMODEUS ki baat sun BEELZEBUB hadbada gaya...usse bilkul bhi ummid nahi thi ki ASMODEUS usse kuch aisa bhi puch sakta hai....



BEELZEBUB-FATHER,ye BRAMHAAND maanyataaon ki chaadar se khudko puri tarah dhake hue hai,ye aapne hi mujhe bataya tha....

fir mai kaise DHARMON ki ginti kar sakta hun????

ASMODEUS- fir bhi....andaza lagao....

BEELEZUB-FATHER,andaza lagana bhi toh asambhav hai....saikdon jeeven daayi grah jinme hazaron DHARMON ko maanane waale log baste hain...

ASMODEUS-hmm...aur in hazaron DHARMO me kaun sa DHARM sabse upar hai....????



ASMODEUS ke is sawal ka BEELZEBUB ke paas koi jawab nahi tha....wo sawal sunane ke baad bhi chup hi raha aur is baat ko ASMODEUS bhi bhali bhaati jaanta tha aur isiliye....



ASMODEUS-KARM...........is bramhaand ka sabse bada DHARM " KARM " hai......



KARM wo DHARM hai jisse puri lagan aur nishtha se karne waale vyakti ko ISHWAR ke aage bhi haath failana nahi padta...

kyunki KARM karne par nikalne waala PASINA kisi puja se kam nahi hota....aur BHAKTI ka PHAL mile naa mile kintu KARM ke PASINE ki puja ka PHAL milna anivarya hota hai.....

ek baat hamesha yaad rakha putr,ki agar kisi doud me hissa lo aur haar jaao,toh is baat ka aakalan mat karo ki jeetne waala tumse kitna tez tha apitu is baat ka aakalan karo ki tum jeetne waale se kitne dheeme the.....

BEELZEBUB-kintu baat toh ek hi hai naa FATHER!!!!

ASMODEUS-baat ek hi hai par maayne alag alag hain....

jis manzil ke path par tum agrasar ho,us manzil ko paane ke liye tumhare saath aur bhi pratispradhi ho sakte hain...

kintu jis vyakti ki drishti apne manzil ke saath saath apne pratispradhi ki raftaar aur hunar par bhi tiki ho,wo kabhi bhi jeet nahi paayega.

kintu jis vyakti ki drishti kewal apne manzil par tiki ho aur jo idhar udhar naa dekh kewal apne hunar ko nikharne aur khudki raftaar badhane me laga hua ho,wo apne aap hi apne saare pratispradhiyon se aage nikal sabse pehle manzil tak pahunchega....

apne manzil tak pahunchne ke liye jisme khud tak ko mita dene ka jasba ho,uske saamne manzil swayam natmastak ho jaati hai...

aur yahi jasba VIKRAM ke mitron ne dikhaya tha....unhone un aloukik shaktiyon ko prapt karne hetu apni saari shaktiyan jinke bina unke jeeven ka koi arth hi nahi hota,usse tak daav par lagaya tha.....

aise prayas ko uski manzil milni hi chahiye.....

tum keh rahe the naa ki aisi aloukik shaktiyon ke swami hone ka unhe koi hak nahi....

HAK maanga nahi jaata,haasil kya jaata hai.....

KARM hi sabse bada DHARM hai aur ek KARMATH vyakti har shaktishali chiz ka HAKDAAR hai......



bohot kam aise mouke aate the jab ASMODEUS paap aur punya se upar uthkar kuch kehta tha....

aur ye wahi mouka tha.....BEELZEBUB jaanta tha ki jo bhi ASMODEUS ne kaha tha wo naa punya ke hisse me aata tha aur naahi hi paap ke....

ASMODEUS ki kahi har baat katu satya thi aur ek DEVIL ka sabse bada shatru katu satya hi toh hota hai...

ek aisa shatru jo DEVIL ko andar tak hila deta hai...aur aisa hi kuch ehsaas is waqt BEELZEBUB ko apne andar mehsoos ho raha tha.....

wo is baat ko aur aage nahi badhana chahta tha isiliye......



BEELZEBUB-toh ab aage kya FATHER????



BEELZEBUB ki baat sun ASMODEUS ne ek baar uski taraf dekha aur.....



ASMODEUS- iska jawab toh VIKRAM pehle hi de chuka hai


..................SHADOW WORLD....................




 
Member
278
52
28
FINAL CHAPTER






(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)





MEGA UPDATE-110





FINAL ADVENTURE



PART-1






PLANET-YELUPTUS





PLACE-STORMY DESERT






YAAR ,MERE ANDAR FIRSE VIBRATIONS SHURU HO GAYE HAIN.....

MERE BHI....

MERE BHI....

MERE BHI....



RONIT ke baad same baat baaki teeno ne bhi repeat ki....



mere AVANTIKA ko lekar gaayab hote hi mere chaaron doston ke andar ek jagah rooki hui un sab ki shaktiyan ek baar firse aage badh gayi...

dheere dheere wo shaktiyan mere doston ke pure sharir me failne lagi jis wajah se un sab ke body me pehle vibrations hone lagi aur fir dheere dheere un chaaron ka sharir bhaari hone laga.....

jiska matlab tha ki unka sharir unke shatkiyon ke wazan ko sambhal nahi paa rah hai.....



RONIT-ye dekho,is jagah ki WHITE ENERGY bhi baahar aane lagi hai....hume jaldi se dhyan mudra me baithna hoga aur jaisa V.J ne kaha hai,apni shaktiyon ko apne dimag se jodna hoga,warna hamari shaktiyan hamari hi band baja dengi....

RONIT ki baat par sabhi ne sehmati jatayi aur agle hi pal mere chaaron dost jahan khade the,wahin dhyan mudra me baith gaye....

sabne ek saath apni apni aakhen band kar li aur apni apni shaktiyon ko mehoos karne me lag gaye.....

waise toh dhyaan lagana mere chaaron doston ke liye hi koi badi baat nahi thi..chaaron dhyan lagane ki kala me nipun the par aaj baat kuch aur thi...

aaj unke andar aseemit asthir shatiyan thi jinme lagatar hulhul ho rahi thi....aur issi bhayanak hulchul ke beech un chaaron ko apne apne chit ko shaant kar apni unhi ashtir shaktiyon ko unke gantavya matlab apne mastishk tak pahunchana tha....

aur ye koi saral kaarya nahi tha..par jin chunoutiyon se hote hue mere dost aaj is mukaam par pahunche hain,uske baad kathin se kathin kaam karne me bhi unhe maza aane laga tha.....

chaaron apne chit ko ekaagra karne ki puri koshish karte hue apni apni shaktiyon ko mehsoos karne me lage hue the....

is waqt mere doston ko unke saare sharir me tez chamakti hui urja dikh rahi thi...wo ussi tez urja ke beech usme nahate hue aage badh rahe the..

unka kaam ye tha ki yunhi dhyan mudra me rehte hue wo sab us urja roopi raaste se guzarte hue apne mastishk apne dimag tak pahunche aur fir apne apne dimag ko us urja ropi shakti ka sparsh karaye..

unke aisa karte hi unka mastishk un saari shaktiyon ko sokh leta jisse unki shaktiyan unke control me aa jaati.....

par ye safar kaafi lamba tha....dhyan me baithe mere chaaron dost bohot tezi se apne andar ki urja ke raaste se hote hue aage badh rahe the par fir bhi is raaste ka unhe koi anth nahi dikh raha tha....

uske upar wo urja roopi raasta mere doston ki raftaar ko dheere karne me laga hua tha....mere doston ko aisa lag raha tha jaise wo urja unhe kheench kar rokne ka prayas kar rahi hai..

par fir bhi jaise taise mere dost aage badh rahe the.....

ye sab toh mere doston ke andar chal raha tha..chaliye dekhte hain ki bhaahar ka drishya kaisa hai???



arre ye kya??????is waqt mere doston ka sharir us jagah par nahi hai jahan dhyan me baithne par tha...infact,is waqt mere doston ka sharir zamin me hi nahi tha,balki upar hawa me utha hua tha aur dheere dheere aur upar uthata jaa raha tha.....

ye sab mere doston ke sharir me behti urja ki wajah se ho raha tha....mere doston ke dhyan me baitnhe ki wajah se ab wo shaktiyan wo urja mere doston ke andar bhaar paida nahi kar paa rahi thi isiliye ab un shaktiyon ne mere doston ke sharir ko hawa me utha diya tha......

wahin in saare parivartano se anjaan mere dost apne apne chith ki aur badhe jaa rahe the..par ab unki raftaar kaafi kam ho chuki thi....

unke andar ki shaktiyon ne unhe naa sirf mere doston ko slow kar diya tha,balki ab wo shaktiyan mere doston ko ek jagah par rukne par majboor kar rahi thi...

aur thodi der baad ye bhi ho gaya...kuch aur der tak sangharsh karne ke baad mere doston ki aantarik shakti ne jawab de diya aur natija,unki aantarik shakti ek jagah aakar rook gayi aur tabhi.......



AHHHH......

AHHHH......

AHHHH......

AHHHH......



ye chaar dard bhari karah mere chaaron doston ke mooh se nikli aur issi ke saath unki aankhen khul gayi......

par agle hi pal........



arre ye......

arre ye......

arre ye......

arre ye......



ye aadhi adhuri baat mere doston ke mooh se nikli aur reason......



jaisa ki maine bataya tha ki mere doston ka sharir hawa me utha hua tha aur har lamhe dheere dheere lagatar aur upar uthatha chala jaa raha tha,toh is waqt mere dost zameen se kaafi upar tak uth chuke the aur jaise hi un chaaron ka dhyan bhang hua aur un sab ki aankhen khuli,toh agle hi pal un sab ka sharir yunhi baithe baithe hi niche zameen ki taraf tezi se girne laga...

khudko yun hawa me itne upar utha hua dekh sabhi chownke aur un sabke mooh se ARRE YE ki adhuri baat nikli jo puri isiliye nahi ho paayi kyunki unke aage kuch kehne se pehle hi unka sharir wapas zameen ki taraf girne laga....

khudko neeche girne se rokne ke liye mere doston ne ek ke baad ek kuch SPELLS bole par koi faayda nahi hua..

unhe aisa lag raha tha maano unhiki unstable shaktiyan unhe neeche dhakel rahi hai aur issi wajah se unke SPELLS kaam nahi kar rahe....

koi upaay,koi SPELL ke kaam naa karte dekh jo hoga dekha jaayega ke tark par chaaron ne apni apni aakhen band kar lin aur zameen se hone waale impact ke liye khudko taiyar karne lage....

par tabhi..........



ARRE YE KYA??????



baat SHAILA ne kahi thi par same question aur reaction sabhi ka tha.....

reason.....tezi se neeche girta mere doston ka sharir jisse zamin par zor se girna chahiye tha,wo zamin se 1 feet upar upar hawa me rook gaya ya ye kahun rok diya gaya....

issi baat ka shock mere doston ko laga tha par jaise hi un sab ki nazar neeche gayi toh naa sirf un sabka shock door ho gaya balki chaaron ke chehre par muskaan bhi aa gayi...



reason...is waqt un sabke neeche hawa me utha hua ek mote se gaddhe ka roop liye WHITE ENERGY ka layer tha....

aur issi gaddhe numa WHITE ENERGY ke layer ne hi mere doston ko hold kiya hua tha..

neeche ke WHITE ENERGY ko dekhte hi mere dost samajh gaye ki ye WHITE ENERGY ka layer YELUPTUS ki hi den hai aur issi ne unhe unki asthir shakiyon ke maaya se bachaya hai....

wahin mere doston ko hold karte hi YELUPTUS ki WHITE ENERGY ne dheere se un chaaron ko wapas zamin par rakh diya..

zamin par rakh wo WHITE ENERGY wapas zamin ke andar chali gayi..

khud ko safe dekh mere dost kuch kehne hi waale the ki tabhi.......



jaise hi YELUPTUS ki WHITE ENERGY zameen ke andar gayi,waise hi mere doson ke sharir ek baar firse vibrate hone shuru ho gaye...

mere dost samajh gaye the ki jab tak wo unki shaktiyon ko control nahi kar lete,unhe ek second ka bhi break nahi milega....

aur isiliye agle hi pal mere chaaron dost wapas dhyan me baith chuke the.....











PLANET-ISLA





PLACE-FLOATING MOUNTAIN






ARRE YE TOH WAHI JAGAH HAI NAA JAHAN HUM COURIOUS JAANE SE PEHLE AAYE THE....(UPDATE-89)



hum gayab hokar jahan pahunche the,us jagah ko dekhkar AVANTIKA ne shock par saath hi khush hokar apni baat kahi....

MAI- hmm.....



is waqt hum ISLA ke sabse khubsoorat jagah FLOATING mountain ke edge par khade the....

FLOATING MOUNTAIN matlab aisa mountain jo hawa me tair raha ho....

saamne ka nazara bhi adhbhudh ..hamare pairon ke neeche se hi kuch chowdi jagah khuli hui thi jiske akhri chhor se jharna beh raha tha...saamne hamare pahad ki hi tarah kayi pahad hawa me tair rahe the....

last time ki hi tarah aaj bhi yahan hawa me halki halki thandak thi jo mousam ko behad khushnuma bana rahi thi....

yahan aakar AVANTIKA behad khush ho gayi thi...wo apne haseen muskurate chehre ko liye idhar udhar dekh rahi thi wahin mere liye toh sabse haseen nazara khud AVANTIKA hi thi...

mai ussi ke khile hue chehre ko dekhne me khoya hua tha....

kuch der tak idhar udhar dekhne ke baad jab AVANTIKA ki nazar mujhpar padi toh usne muhe khudko dekhte hue paaya....

usne aakhon se hi mere yun ek tak usse dekhne ki wajah puchi par mai usse bas niharta hi raha....

mujhe jawab naa deta dekh AVANTIKA ke lab sawal puchne ke liye khulne ko hue hi the ki tabhi......



hamare saamne hawa me ek roshni ubhri aur us roshni ke beech se DEFENDER bahar aaye aur prakat hote hi wo hum dono ke aage jhuk gaye....



MAI- khade ho jaaiye....



mere bolte hi DEFENDER khade ho gaye....

is waqt hume apne saamne ya fir ye kahun ki hume ISLA me dekh DEFENDER ke chehre par khushi saaf dikh rahi thi....



DEFENDER-LORD,aap yun achanak yahan....!!!agar aapne mujhe pehle se apne aagman ke baare me suchit kiya hota toh mai pure ISLA ko aapke swagat hetu saja deta....

MAI- isiliye hi nahi bataya....waise toh aapko ISLA ko sajane ke liye pal bhar bhi nahi lagega par iski koi zaroorat nahi hai...

mai yahan kisi se bhi bhet karne hetu nahi aaya..pichli baar jab mai yahan aaya tha tab mujhe ye jagah bohot pasand aayi thi aur isiliye mai yahan AVNI ke saath kuch pal akele me bitane aaya tha....

DEFENDER- shama karen LORD.maine aapke ekant samay me hastakshep kiya....

MAI- aapko shama maange ki koi awashayakta nahi hai DEFENDER...hum dono ko yahan dekhkar aapko jo khushi hui usse mehsoos karkar mujhe bohot acha laga....

DEFENDER- aap bhale hi apni pehchaan apna ohda bhul jaaye ya khudko kam aanke kintu isse satyata toh nahi badal jaayegi LORD....

aap PARMESHWAR PUTR hain..is grah me toh kya aap is samast bramhaand me sabse khaas hain aur aise khaas vyaktitv ke swami ko apne saamne dekh mai hi kya har koi khush hoga....



maine DEFENDER ki baat par kuch nahi kaha bas halka sa muskura diya....



DEFENDER- aap dono ke ekant samay me maine pehle hi kaafi der tak hastakshep kar liya hai LORD,ab mujhe ijazat den...



maine is baar bhi kuch nahi kaha bas apne sir ko halki si jumbish di...mere aisa karte hi DEFENDER ek baar firse ek baar mere aur AVANTIKA ke aage jhuke aur ussi position me wo gaayab ho gaye.....

DEFENDER ke gaayab hote hi maine ek lambi saans chhodi aur ek khedpurn ek shikayat se bhari muskaan ke saath.....



MAI-PARMESHWAR PUTR......



khudko aisa bolte waqt mujhe koi khaas khushi mehsoos nahi hui thi aur is baat ko AVANTIKA ne bhi note kiya tha...

aur is baar jab maine apni gardan ghumayi toh AVANTIKA ko mujhe ektak dekhta paaya...

par AVANTIKA ki tarah maine usse koi sawal nahi kiya,mai bhi usse ussiki tarah dekhne laga....

kuch der tak ek dusre ko dekhte rehne ke baad......



AVANTIKA-hum toh aap hi ke hain janab...wo bhi hamesha ke liye....booking bhi confirmed hai...ek dusre ki aankhon me khoye rehne ke liye saari umr padi hai...

par filhal agar aapki ijazat ho toh toh kya mai kuch puch kar sakti hun????



AVANTIKA ki baat sun mai has diya aur....


MAI-pucho???

AVANTIKA- pucho???jaise janab ko pata nahi hai ki mai kya puchne waali hun???

khair.agar aap humare mooh se hi hamare sawal sunana chahte hain toh yahi sahi....

PARMESHWAR PUTR.....itna bada darja mila hai tumhe fir bhi tum is ohde ,is pehchan se khush kyun hai ho???

MAI-kabhi kabhi sab kuch paa lena adhurepan ko janm deta hai...jis ohde ki tum baat kar rahi ho,wo mujhe ussi adhurepan ki taraf dhakelta hai....

mujhe meri pehchaan milne ke baad jitni bhi negetive chizen hui hain aur ab bhi ho rahi hain,usse dekhkar,mehsoos karkar lagta hai ki mai is pehchaan ke bina hi thik tha....

is pehchaan,is ohde ka bojh bohot zyada hai jisse uthane me kabhi kabhi bohot taklif hoti hai....

AVANTIKA- itne bade samman ko paane ka,itne unche ohde ke milne ka jo tumme zara sa bhi lalach nahi hai naa,issi wajah se hi ye samman,ye ohda tumhe mila hai...

MAI- kyunki maine ye kaha ki mujhe ye ohda nahi chahiye,isiliye tum is natije par pahunchi ho??

ye bhi toh ho sakta hai ki deep inside mujhe is taakat ka nasha chadha hua ho!!!!

AVANTIKA-acha mere ek sawal ka sahi sahi jawab doge???but no lies haan,just an honest answer....



maine kuch kaha nahi bas apni palkon ko ek baar niche kar AVANTIKA ko haan kaha....




AVANTIKA- agar ek taraf meri jaan khatre me ho,aur dusri taraf saikdon log mout ke kagaar par khade hon,aur tum sirf ek side ko hi bacha sakte ho
,toh kisse bachaoge???

mujhe ya fir dusre side ke logon ko....????



AVANTIKA ne jo sawal pucha tha,uske baare me mai pehle se jaanta tha,par phir bhi uske sawal ko sunkar ke pal ke liye mai andar se bechain sa ho gaya.....


AVANTIKA-mujhe ek honest answer chahiye..



maine ek lambi saans chhodi aur....



MAI- mai dusri taraf ke logon ko bachaunga...



mera jawab sun AVANTIKA ko zara bhi bura nahi laga,ulta uska chehra khil utha....



AVANTIKA- kya mai iski wajah jaan sakti hun???

MAI- bhale hi tum mere liye sabse khaas ho par ek ki jaan ka souda saikdon se nahi kiya jaa sakta....

sirf tumko bachakar khudko aur tumhare chand gharwaalon ko khush rakhne ke liye mai un saikdon ki bali dekar unke hazaron ki ginti ke gharwalon ko taklif nahi de sakta....



mere jawab ko sun AVANTIKA ke chehre par garv ke bhaav ubhre aur....



AVANTIKA- isiliye hi tum LORD OF ANGELS ho....tumhare faisla lene ki shakti insaani jasbaaton se ghire hone ke baawajud daivik hai...

kyunki sirf ek tumhi ho,jo khudke swarth ko side rakh is universe ki bhalayi ke liye niswaarth bhaav se faisle lete ho...

tumhara koi bhi faisla rishton ki dor me bandha nahi hota...aise faisle jisse personally tumhe bohot taklif hoti hai,par fir bhi tum wahi karte ho jo sahi hota hai...

ab aise vyaktitv ke maalik ko shaktiyon ka bhandar soumpna galat nahi ho sakta....



AVANTIKA ki baat sun mai halka sa muskura diya....



AVANTIKA- ab mera dusra sawal...!!!!mai kal se hi tumhare aankhon me halki si bechaini dekh rahi hun....aisa kyun???

MAI- mai soch hi raha tha ki abhi tak tumne mujhse is baare me kaise nahi pucha????

AVANTIKA- ab toh puch liya naa...ab batao bhi....

MAI-SHADOW WORLD.....jahan hume jaana hai...dimag baar baar wahin jaakar atak raha hai....

AVANTIKA- par kyun???

MAI-SHADOW WORLD ki halki halki jhalkiyan toh mere dimag me pehle se thi par ASMODEUS se gale lagte hi mujhe SHADOW WORLD ke baare me puri tarah se pata chala hai...

AVANTIKA- par tumne hi toh kaha tha ki tumne ASMODEUS ke gale lagte waqt uski urja ko khudme kheencha tha aur ussi douran tumhe SHADOW WORLD ka pura knowledge hua!!!!

MAI- aur tumne bhi toh kaha tha ki ye ASMODEUS ki chaal bhi toh ho sakti hai...

bas wahi soch raha hun ki agar ye sab meri ASMODEUS ki urja ko kheenchne ki wajah se hua hai toh koi baat nahi par agar ye ASMODEUS ki koi chaal hogi toh hum sab mushkil me pad sakte hain....

AVANTIKA- toh,SHADOW WORLD jaane ka idea cancel karen????!!!!!!

MAI- tum jaanti ho ki mai aisa nahi kar sakta.....haan,par ye ho sakta hai ki tum sab mere saath mat jaao....mai akela hi...

AVANTIKA- aisa sochna bhi mat....



mai aage kuch kehta usse pehle hi AVANTIKA ne meri baat kaat apni baat kahi....




AVANTIKA-ye baat kabhi mat bhulna ki tumse hi mai hun..tumhare bina mera koi astitv hi nahi hai....

agar koi chaal hai bhi toh hum dono uska mukabala milkal karenge...aur ye mat bhoolo ki ab tumhare dost bhi normal human nahi rahe...

ab unme bhi ANGELS ki power hai....aur isse behtar mouka nahi mil sakta un sabko apni shaktiyon ko test karne ka....

MAI- haan wo bhi hai par ye mat bhoolo ki filhal abhi wo chaaron apni apni shaktiyon ko control nahi kar paaye hain..

aur abhi jo ho raha hai uske hisaab se apni shaktiyon ko apne adhin karne ke liye unhe thode aur paapad belne honge....

AVANTIKA- matlab!!!!abhi kya ho raha hai???



maine kuch kaha nahi bas apna haath aage ki taraf kar diya..mere aisa karte hi hum dono ke saamne hawa me ek picture chalne lagi jisse dekh....



AVANTIKA- arre,ye chaaron hawa me kyun uthe hue hain????



saamne chal rahe drishya ko dekh AVANTIKA ne apna reaction diya....



reason....darasal hamare saamne abhi wahi scene chal raha tha jisme mere chaaron dost dhyan ki mudra me the aur unke sharir hawa me uthe hue the....

abhi mai kuch kehta usse pehle hi....



AVANTIKA- arre ye sab gir kaise rahe hain...????



ab saamne chal rahi picture me wahi scene chal raha tha jab mere doston ki antarik shaktiyon ko unke andar ki uncontrolled shaktiyon ne ek jagah rok diya tha...

aur aisa hote hi mere doston ko ek jhatka laga jis wajah se wo chaaron dhyaan se baahar aa gaye aur agle hi pal un sab ke sharir jo ki hawa me kaafi upar uth gaye the,wo neeche girne lage...

AVANTIKA ye sab shocked hokar dekh hi rahi thi ki tabhi usse ek naya shock laga....

aur is shock ka reason wo WHITE ENERGY thi jinhone mere doston ke bodies ko khud ke upar lekar unhe girne se rok diya tha....

AVANTIKA aankhon me sawal liye mujhe dekhne lagi...fir maine bhi usse wahan jo bhi ho raha hai aur jis wajah se ho raha hai uske baare me bataya..

maine usse YEPLUPUS me basi WHITE ENERGY ka raaz bhi bataya....

AVANTIKA ye jaankar shocked ho gayi ki SHADOW WORLD me fase logon ki bodies YELUPTUS ke zameen ke andar rakhi hui hai...



MAI- ek aur baat batani hai tumhe...

aur iske baad jo baat maine AVANTIKA ko kuch bataya jisse sunte hi......




AVANTIKA-WHATTTTT???????????SACH ME????????



jo baat maine AVANTIKA ko batayi thi,usse sunkar AVANTIKA ko ab tak ka sabse bada shock laga....

wo aakhon me hairani ke samandar ko liye mujhe dekhti rahi....maine bhi kuch nahi kaha bas usse dekhta raha..kuch der tak mujhe yunhi dekhte rehne ke baad....



AVANTIKA- toh ab???

MAI- ab kya??jaise hi ye chaaron apni apni shaktiyon ko control me le aayenge,hum SHADOW WORLD ke liye nikal jaayenge...



fir mere aur AVANTIKA ke beech koi baat nahi hui...hamare saamne hawa me YELUPTUS ka drishya jisme mere chaaron dost dhyan ki mudra me dobara baith chuke the,wo ab bhi chaalu tha..

AVANTIKA ne mere kandhe par apna sir rakh diya aur hum dono humare doston ko dekhne lage....





BACK TO FRIENDS:-




ADHBHUDH.......



ye shabd mere charon doston ke dimag me ek saath gunje the....

aur reason......dobara dhyan me baithne ke baad mere chaaron doston ki aantarik shakti ne firse apni yaatra shuru ki...

safed roshniyan jo ki asal me mere doston ke sharir me beh rahi WHITE ENERGY thi,uske beech se hoti hui unki aantarik shakti tez raftaar pakde aage badhne lagi...

par ek baar firse unki unstable shaktiyon ne unki aantarik shakti ke raaste me roda atkana shuru kar diya...

tez raftar se doud rahi mere doston ki aantarik shakti ki punah raftaar dheeme padne lagi....

par is baar mere dost aur unki aantarik shakti is rukawat ke liye taiyar the....

mere doston ka dhyan,unka chit puri tarah sthir tha aur issi wajah se unki aantarik shakti ke marg me baadha aane par bhi wo nirantar aage badhti rahi....

kuch samay tak lagatar rukawat aane ke baad achanak.........



nazara badal gaya...jahan abhi tak mere doston ki antarik shakti ke har taraf safed roshni chaayi hui thi,ab us roshni ka rang aur roop dono badalne lage....

dekhte hi dekhte wo safed roshni pehle hare rang me badalne lagi aur fir kuch der ke baad us hare rang ne ek bohot hi khubsoorat jungle ka roop le liya...

ek aisa khubsoorat jungle jiski bas kalpana maatr hi ki jaa sakti hai....har taraf aise aise manmohak ped the jinka vastavikta me hona lagbhag naamumik tha....

un pedon ke ird gird chote chote lake bane hue the jinke satah par shweth badal tair se rahe the....

par tabhi mere doston ki aantarik drishti ne kuch aisa dekha jisse usse ek jhatka dekha...

darasal hua ye ki jaise hi mere doston ki aantarik drishti ko ye ehsaas hua ki abhi wo ek jungle me hai,toh agle hi pal us jungle ka pura drishya usse saaf saaf dikhne laga jisse dekh usse jhatka laga...


reason.....us jungle ke har kone me lagbhag saare jaanwar aur pakshiyan moujud the...par shock ki baat ye thi ki har jaanwar apne jhund ke saath naa hokar dusre prajati ke jaanwaron ke saath khel raha tha...

aur wo bhi aisi prajati ke saath jinke saath vastavikta me hona un jaanwaron aur pakshiyon ke liye asambhav tha....

jahan sher hiran ke saath khel raha tha,wahin nevla saanp ke saath baitha hua tha....kutte aur billiyan ek saath udham maccha rahe the wahin baaki ki pakshiyan dusre carnivourous jaanwaron ke upar baithi hui thi.....



aur isiliye mere chaaron doston ke mooh se ek saath ADHBHUDH shabd uccharit hua...

par tabhi mer doston ki aantarik shaktiyon ko ek dusra jhatka laga...aur wo isiliye kyunki ADHBHUDH shabd chaaron ke aantarik shaktiyon ke dwara ek saath uchharit hua tha jisse chaaron ne suna tha...

aur wo isiliye kyunki jungle me chaaron ki aantarik shaktiyan ek saath pahunchi thi aur is waqt wo chaaron shaktiyan ek dusre ke aaju baaju me hi khadi thi....

ek dusre ki shaktiyon ko apne aas paas mehsoos kar chaaron khush ho gaye....

is adhbhudh nazaare ko dekhte hue mere doston ki aantarik shakti dheere dheere hi sahi par aage badhti rahi aur kuch door tak aage chalne ke pashchat ek baar firse nazara badalne laga.......

is waqt mere doston ki aantarik shakti us jungle ke sarhad par pahunch chuki thi..

aur sarhad ke us paar ek safed dhuen ka bada sa chaadar har taraf faila hua tha...

jaise jaise mere doston ki aantarik shakti us safed dhuen ki chaadar ke paas pahunchne lagi,waise waise us aantarik shakti ko us safed dhuen ki chaadar ne har taraf se sametna shuru kar diya aur dekhte hi dekhte kuch hi palon me mere doston ki aantarik shakti us safed dhuen me puri tarah se dhak gayi thi aur tabhi.......

jaise hi mere doston ki aantarik shakti thodi aur aage gayi toh wo safed dhuan dheere dheere chatne laga aur kuch hi palon baad jab wo dhuan saaf hua ,toh jo nazara mere doston ki aantarik shakti ke saamne tha,usse dekh mere doston ki aantraik ke saath saath unke chehre par jo ki filhal dhyan mudra me tha,uspar bhi vismay ke bhaav aane lage...



reason...is waqt mere doston ki aantarik drishti ke saamne ek lambi si safed pool thi jo chakam rahi thi...

aur us pool ke dusre chhor par ek bohot hi bada saa sweth rang ka gate tha...mere doston ki aantarik shakti us pool se hote hue aage badhne lage..

aur kuch pal baad jab mere doston ki aantarik shakti us pool ke dusre chhor par pahunchi,toh usse ek naya jhatka laga....



reason....pool ke dusre side par jo gate tha,us gate ke dono ends par do paheredaar khade the unhe dekhkar aankatarik shakti ko shock laga....

aur iski wajah ye thi ki jo do paheredaar us gate se lag kar khade hue the,unhe ya fir ye kahun ki un jaiso ko mere doston ne pehle bhi dekha tha par sirf mere piche khade hue...

un dono ko shock ke saath dekhte hue mere chaaron doston ke aanatrik shaktiyon ne ek baar firse saath me uccharit kiya.....



ANGELS......



ji haan doston,is waqt mere doston ke saamne jo do paheredaar khade the,wo aur koi nahi ANGELS the jo muskurate hue mere doston ko dekh rahe the...

aur tabhi......



un dono ANGELS ne us bade se gate ko khola aur gate ke khulte hi jo nazara mere doston ki aantarik drishti ke saamne aaya,usse dekhkar unhe ek saath do do anubhuti hui..



pehli...vismay ki....saamne ka nazara tha hi itna khubsoorat....



aur dusri....sukoon ki.....saamne ke nazare ko dekhkar mere doston ke antarik drishti se hote hue unki aantarik shakti ko ek aisi shanti ki anubhuti hui jaisa usne pehle kabhi feel nahi kiya tha....



vismay aur sukoon ke mile jule swaroop ko khud me lapete chaaron ki aantarik shakti us gate ke andar ki taraf badh gayi...

wo do ANGELS jinhone us gate ko khola tha,wo bhi un chaaron ke peeche ho liye...

wahin chaaron ki aantarik drishti har taraf ke nazare ko dekh,usse mehsoos kar lagatar tript hote jaa rahi thi....

wo nazara tha hi aisa.....



chaaron taraf anant lambai aur choudayi ke beech halke sweth rang ko odhe chote chote par anginat khubsurat mehel bane hue the...
us jagah se thodi hi upar chote chote taare timtima rahe the jo us mahoul ko aur bhi khubsoorat bana rahe the.....

aakash ke har kone me bohot se ANGELS ek dusre se baatein karte ud rahe the....

jis path par wo chaaron chal rahe the,uske dono sides me thodi door safed chaadar ko odhe ek moti dhaar ke saath jharne beh rahe the...

un jharno ka gantavya,unka ground touching point dikh toh nahi raha tha par un jharno ki wajah se wahan ke mahoul me halki halki thand thi jo us jagah ko aur bhi khushnuma mana rahi thi....

mere doston ki aantarik shakti in manmohak nazaron ka anand uthate hue aage badh rahe the ki tabhi.....



JAGAH PASAND AAYI......



ek roubdaar awaaz mere doston ke kaano me padi jisse sun wo sab apni tantra se na sirf baahar aaye balki chownk bhi gaye....



reason.....ye awaaz unke saamne se aayi thi...chaaron taraf drishti ghumate hue nazaron ka anand uthane ke chakkar me mere doston ki aanatrik shakti ki drishti saamne dekhna bhool gayi thi...

aur jab awaaz sun chaaron ne apne aage dekha toh khudko ek bade se open mehel ke darbaar me paaya....

par un sab ke chownke ki asli wajah ye sab nahi tha balki wo awaaz thi jo unke kaano me gunji thi...

ye awaaz us darbaar ke beech me bani raajgadhi ki taraf se aayi thi jiske peeche koi peeth karke khada hua tha.....

aur jaise hi wo banda ghumte hue saamne ki taraf aaya,toh mere doston ko ek aur jhatka laga aur un sab ke mooh se ek saath nikla....



CHAARON-VIKRAM.............



ji haan doston,raajgadhi ke saamne khada banda aur koi nahi mai hi tha....aur is waqt mai apni ANGELS LORD ke bhesh me tha....

apne doston ki antarik shakti ko shocked chhod mai muskurate hue apni raajgadhi me baith gaya....

kuch der tak yunhi shocked me rehne ke baad....



RONIT- ye sab kya hai??ye jagah,ye mehel aur iski raajgadhi par tu baitha hai!!!,mujhe toh kuch samajh me nahi aa raha hai...

MAI-galat...tum chaaron ko samajh me aa chuka hai bas tum maanana nahi chaahte....



meri baat sun mere chaaron dost ek baar firse chownke aur ussi haalat me....



SHAILA-KYA



MOKALSAR-YE



AKSHAANT-SACH ME



RONIT-HEAVEN HAI......




MAI- haan......



mere chaaron dost ab bhi avishwas bhari nazaron se mujhe dekh rahe the....aur isiliye......



MAI- peeche dekho.....



meri awaaz se un chaaron ki tantra tooti aur jaise hi wo chaaron palte,unhe firse ek jhatka laga.....

reason....un sab ke peeche is waqt unhi ki unstable shaktiyan hawa me rooki huyi thi....

kuch pal tak in sab cheezon ko samajhne ki koshish karne ke baad bhi jab mere chaaron doston ko kuch samajh me nahi aaya toh wapas meri taraf palte....



MAI-mai koun hun???



mere sawal par mere dost hadbada gaye par fir....



RONIT-LORD OF ANGELS....

MAI- iska matlab???

SHAILA- ANGELS ka pratinidhi.....unka maalik!!!!!!

MAI-hmm.aur jo unstable aniyantrit shaktiyan tum chaaron ke andar hai wo ANGELS ki hai...

aur ANGELS ka ghar HEAVEN hota hai.....ye shaktiyan unstable isiliye thi kyunki ye apne ghar yaani HEAVEN me naa pahunch tumhare andar pahunch gayi thi....

aur apne pratinidhi apne maalik se ijazat liye bina ye tumhe khudko kaise soump sakti hain....???

isiliye ye chatpata rahi thi aur tum chaaron ko force kar rahi thi ki tum inhe inke ghar le chalo....

aur aakhir me tum inhe inke ghar le hi aaye......



AKSHAANT- par hume toh in shaktiyon ko apne mastishk se jodna tha naa...

MAI-is waqt tumhari aantarik shakti ke saath saath tumhara mastishk bhi is jagah se juda hua hai.....



meri baat sun mere doston ne kuch nahi kaha bas mujhe ek tak dekhte rahe....par ab waqt aa gaya tha jab mai apne doston ko unka puraskaar,unka inaam soump dun aur isiliye.......



MAI-MAI VIKRAM LORD OF ANGELS,TUM CHAARON KE SHAREER AUR AATMA KO ANGELS KI SHAKTI KO RAKHNE AUR ISTEMAAL KARNE KI ANUMATI DETA HUN....



jaise hi maine apni baat kahi,uske agle hi pal mer doston ke peeche khadi unki daivik shaktiyan ek jhatke me un chaaron ke andar sama gayi....

aur aisa hote hi mere doston ki aantarik shakti hawa me uth gayi.....

baaki ANGELS ki hi tarah unke sharir par bhi ANGELS ke vastra aa gaye....

kuch der tak yunhi hawa me rehne ke baad wo chaaron neeche aaye aur neeche aate hi unki aankhen khul gayi.....

ab mere dost sadharan yodhaon se daivik yodha me badal chuke the.....

aankh khulte hi wo mere aage apne ghutno par jhuk gaye......



MAI- iski zaroorat nahi hai doston..tum sab ye shaktiyan deserve karte ho....



meri baat sun wo chaaron khade ho gaye.....




RONIT-hum isiliye nahi jhuke kyunki tu LORD OF ANGELS hai....tere ohde ki respect karne ke liye hume jhukne ki zaroorat nahi hai..

tujhe pata hai ki tere har roop ki hum sab dil se respect karte hain.....

humare jhukne ki wajah thi tera humare aatm samman ko respect karna....


tu LORD OF ANGELS hai...jo shaktiyan hamare andar doud rahi hain,wo tere hi aadhin hai....

agar tu chahta toh ye shaktiyan hume yunhi de sakta tha....aur ye bhi ek sach hai ki tere rehte hume in shaktiyon ki bhi zaroorat nahi hai....

agar tu chaahe toh hum sab ke ird gird ek aisi SHIELD bana de jisse koi bhi bhed nahi paayega...

par tune aisa kuch bhi nahi kiya..tune hume bas raah dikhayi,manzil par kaise pahunche,ye tune hum par chhoda tha....

SHAILA- RONIT sahi keh raha hai....in shaktiyon ko agar hum yunhi paa letre toh shayad kabhi in shaktiyon ki kadar nahi kar paate...

AKSHAANT- itna hi nahi,ye bhi ho sakta tha ki shaktiyon ke guroor me aakar hum inka galat istemal karte.....

MOKALSAR-par jin kathinaayiyon se guzar kar humne ye shaktiyan paayi hain,usse naa sirf humara aatmvishwas badha hai balki hume in shaktiyon ki ehmiyat ka ehsaas bhi hai.....

RONIT-isiliye thanks mere bhai....hai toh tu hamara dost,par kaam tune ek zimmedar pitah ki tarah kiya hai...

wo pitah jo apne baccho ko har chiz yunhi nahi de deta...balki unhe har chiz ki ehmiyat ka ehsaas karata hai aur unhe acche aur bure ke beech ka fark bhi samjhata hai....



mere doston ki baat sunkar mere chehre par ek vijayi muskaan aa gayi...yahi sab toh mai sunana chahta tha...

mai chahta tha ki mere dost un shaktiyon ki ehmiyat ko dil se samjhe,taaki unka istemaal wo sirf show off ke liye nahi balki acchayi ki raksha ke liye karen...



MAI-tumhare jaane ka samay ho gaya.....



mere ye bolte hi mere doston ki aantarik shakti ko ek jhatka laga aur agle hi pal.....

mere doston ki aankhen khul gayi....




MAI-ANGELS ki shaktiyan mubaarak ho doston....



mere dost apne dhyan se baahar aa chuke the aur aankh khulte hi unki nazar saamne padi jahan mai aur AVANTIKA khade unhe dekhkar muskura rahe the....

mere chaaron dost ek saath khade hue aur meri taraf badhe...ek ek kar chaaron mujhse gale lage....



RONIT- yaar meri shaktiyan toh ab mere control me hai par fir bhi mujhe mera body ab bhi halka bhaari lag raha hai...

MAI-thodi der me normal ho jaayega...kya tum sab ko pata hai ki tum sab kitne der tak dhyan me baithe rahe....

chaaron ne naa me apni gardan hilayi.....



MAI-48 ghante.....



meri baat sun chaaron ko ek jhatka laga....



MAI- haan..aur ab jab tum sabko tumhari shaktiyan mil gayi hai,toh ab hume kahin jaana hoga.....

RONIT-SHADOW WORLD......

MAI- haan....GRAHAM MAARG GACHATI......



ye wahi SPELL tha jo ASMODEUS ne uske DEVILS ko SHADOW WORLD bhejne ke liye bola tha...(UPDATE 65)

SPELL bolte hi mere body se paanch rays nikli jo AVANTIKA aur un chaaron par padi aur agle hi pal......


RONIT- abb ye kaisi jagah hai???hum toh SHADOW WORLD jaane waale the naa!!!!

darasal baat aisi thi ki hum sab gaayab ho antariskh ke beech me khade the..humare aage koi grah koi planet nahi tha bas ek open space thaa....



MAI-hum sab SHADOW WORLD ke grah binduon se hokar yahan pahunche hai iska matlab hai ki hum SHADOW WORLD ke baahar hi khade hain.....

SHAILA- par yahan toh kuch dikh hi nahi raha...

MAI- wo isiliye kyunki ASMODEUS ne SHADOW WORLD ko gaayab kar diya hai..itna hi nahi,uske pramukh DEVILS ne PURNA OJMANAM naam ke SPELL se SHADOW WORLD ko protect kiya hua hai....

SHAILA- haan toh hum chaaron apni shakti unki is SHIELD ko tod dete hai naa....

MAI- nahi....

RONIT- kyun???kya hum ab bhi DEVILS ke SPELLS ko kaatne ke laayak nahi hain???

MAI- bilkul ho...par jis SPELL se DEVILS ne is jagah ko baandha hai,us SPELL ne khudko kaam me laane ke liye un DEVILS ki puri shakti ko nichod liya tha....

tumhe is SHIELD ko todne ke liye apni bhi saari shakti ko baahar nikalkar is SHIELD par waar karna hoga jisse tum sab par kamzori haawo ho jaayegi jis wajah se tum sab bohot der ke liye gehri neend me chale jaaoge...



AKSHAANT-oh...toh ab kya karen....???



maine kuch kaha nahi bas apna haath aage kiya...mere aisa karte hi mere seene ke beech ek tez roshni hui aur agle hi pal us roshni se hoti hui meri SWORD mere haathon me aa gayi....



BANDHAN VINASHAM

SHIELD DESTROY



SWORD ke mere haathon me aate hi maine SPELL bola aur agle hi pal....



mere SWORD se ek tez roshni lagi aur DEVILS ke adrishya kawach par padi aur aisa hote hi.....



BOOM......



ek tez dhamake ke saath wo SHIELD khatm ho gayi par uske agle pal jo nazara humare saamne aaya usse dekhkar mere doston ke chehre par do do bhaav ek saath ubhre...



1ST-KHUSHI.....

2ND-TENTION.....



khushi isiliye kyunki SWORD se nikle vidhwanshak rays ki wajah se DEVILS ka SHIELD toot chuka tha....

aur tention isiliye ki SWORD ki rays se naa sirf SHIELD tooti thi,balki SHADOW WORLD ka planet bhi ab visible ho gaya tha..

aur saath hi visible ho gaye the us planet ke chaaron taraf lage electric rays ki salakhen...



SHAILA- ye toh....



MAI- ek jail hai....is PLANET ko ASMODEUS ne ek jail ki tarah banaya hai aur jo salakhen hum dekh rahe hain,uske khulne par hi hum PLANET ke andar jaa sakte hain....



maine SHAILA ki baat ko pura kiya......



RONIT- haan toh tention kya hai???jaise SHIELD ko toda,waise hi apni SWORD se in salakhon ko tod de....

MAI- mai aisa nahi kar sakta..ye koi aam salakhen nahi hain..jin rays se ye salakhen bani hain,wo is PLANET ki urja hai...

agar maine is par apne SWORD se prahar kiya toh in salakhon ke saath saath pura SHADOW WORLD bhi tabah ho jaayega.....

RONIT- yaar ye toh sach me tention waali baat hai...ab kya karen....???

MAI-isla solution me saath laaya hun...



ye bol maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi mere haathon me ek chiz aa gayi jisse kuch der tak dekhne ke baad.....



AVANTIKA-CURIOUS TREE......ye ussi ke branches se bana powder hai naa.....(UPDATE-61)



AVANTIKA jo ki bade dhyan se mere hatheli ke upar rakha powder dekh rahi thi,uske dimag ki batti achanak jali aur usne apni baat kahi.....

MAI- hmm par iska ek aur naam bhi hai....

AVANTIKA- haan,PRISONS KEY......oh my god,how did i forget......



achanak AVANTIKA ko CURIOUS TREE ka dusra naam aur uski upyogita yaad aayi aur issike saath usse ye bhi samajh aa gaya ki mai CURIOUS TREE ke branches ke powder ko yahan kyun lekar aaya hun...

AVANTIKA toh samajh chuki thi,par baaki chaaron ko kuch samajh nahi aaya tha...wo chehre par sawal liye kabhi mujhe dekhte aur kabhi AVANTIKA ko....



SHAILA- koi hume bhi batayega ki tum dono kis baare me baat kar rahe ho aur tumhare haathon me ye churn hai kya????


MAI-SECRILLA jungle ke madhya me ek ped hai jisse CURIOUS TREE kehte hain...

ye churn ussi ped ke daali ko ghis kar banaya gaya hai jo ki asal me DEVILS ke dwara banaye gaye kisi bhi jaaduyi kaidkhaane ki chaabi hai aur isiliye isse PRISONS KEY bhi kehte hain....

darasal SECRILLA me ANGELS aur DEVILS ne apne apne tarike se shakti pradarshan kiye the aur us shakti pradarshan ka sabse zyada asar wahan ke moujud paani parhua tha jiske kul do swaroop hai..pehli nadi aur dusri jharne....

aur unhi jharno aur nadi ke paani ne khudko SECRILLA ke zamin ke andar bhi basaya tha..

jis paani me DEVILS aur ANGELS ki shakti pradarshan ka sabse zyada effect hua tha,us paani ki urja se hi ek ped ne janm liya jisse CURIOUS TREE kehte hain aur us tree ke darakhton se dekar daaliyon tak me us urja ki wajah se kayi vishestaayen aayin jinme se ek visheshta aloukik thi aur wo yahi thi....

us led ka churn kisi bhi jaadudi kaidkhaane ko kholne ki shamata rakhta hai aur isiliye is ped ko aur iske is churn ko jo mere hatheli par hai,usse PRISONS KEY kehte hain.....

AKSHAANT-ADHBHUDH......toh ab??iska istemaal kaise kiya jaaye???



maine kuch kaha nahi bas apne hatheli ko jisme CURIOUS TREE ka churn tha,usse apne honth ke paas laaya aur agle hi pal....



FUUUUUUUU................



maine ek zor ki foonkh maari aur mere aisa karte hi wo churn ek jhatke me aage badh gaya aur dekhte hi dekhte us churn ne ek patli si chaadar ka roop liya aur aage badhte hue us churn numa chaadar ne pure SHADOW WORLD ko gher liya aur jaise hi us churn ne SHADOW WORLD ko ghere salakhon ko chua........

wo salakhen bina kisi awaaz ke gaayab ho gaye jisse dekh mere dost khushi se ucchal pade....

MAI- chalen.....



maine AVANTIKA ka haath thaama aur aage badh gaya..mere peeche peeche mere chaaron dost bhi aage badh gaye...

kuch hi palon me hum sab SHADOW WORLD ke atmosphere me enter kar chuke the...

aur fir kuch aur lamhe guzarne ke baad hum sab SHADOW WORLD ke zamin par aapne apne paawn tika chuke the....

SHADOW WORLD me pahunchkar hum sab bohot khush the par saath hi is baat se anjaan bhi ki humare SHADOW WORLD me enter hote hi wo jaaduyi salakhen waapas prakat ho chuki thi jiska matlab tha ki ab hum pasnchon bhi us jail numa duniya me fas chuke the........







PLANET- SHADOW WORLD





PLACE-OPEN LAND







SAMAY SACHALAKON...ISHWAR NE AAP SABKI PRARTHANA SUN LI...AAP SABKE DUKH AUR TAKLIF KI GHADI SAMAPT HUI...AAKHEN KHOLIYE....



saare SAMAY SANCHALAK jo ki is waqt apni aakhen band kiye ISHWAR se prarthana kar rahe the,achanak unke kaano me ek tez dhwani padi jisse sunte hi un sab ki aakhen ek jhatke me khul gayi.....

apne saamne 5 anjaan logon ko dekh pehle toh wo jab chownke par jaise hi unki nazar sirf mujhpar aakar tiki,toh unki khushi ka thikana nahi raha....

reason...SAMAY SANCHALAKON ko mere sharir se nikalti urja ka abhaas ho gaya jisse mehsoos kar wo samajh gaye ki mai kaun hun.....


wahin jaise hi saare SAMAY SANCHALAK meri taraf palte,toh mere chehre par ek muskaan naach gayi.....

kyun???ye aapko next update me pata chalega....



khair,mujhe apne saamne dekh wo sab neeche jhukne hi wale the ki......



AAHH........AAHHHHH........AAHHHHHHH......



ek ke baad ek sabhi SAMAY SANCHALAKON ke mooh se dard bhari karahe phoot padi....

aur reason wahi tha jo hamesha se rehta aaya tha...SAMAY SANCHALAKON ke neeche achanak aag prajwalit ho uthi thi jiski wajah se unke mooh se aah nikli thi....



RONIT- ye sab kya ho raha hai????

MAI- thoda rook batata hun....



yahan hum baat kar rahe the wahin humare saamne jaise hi SAMAY SANCHALAKON ke niche ubhri aag bujhi toh apne dard ko zabt karte hue wo sab ek baar firse neeche jhukne lage par.....



MAI-iski koi zaroorat nahi hai...aap sab ka padh aur ohda bohot bada hai...

najaane kitni sadiyon tak aapne pure bramhaand ke samay chakra ko sahi tarike se ghumane ka daayitv nibhaya hai..

aur aaj bhi aap jis aag se tap rahe hain,wo bhi ussi samay chakra ki nirantarta ko banaye rakhne ke liye sah rahe hain...

aap sab ne pehle hi bina kisi galti ke itne varshon tak saza bhugti hai....

mujhe aapko bachane ke liye pehle hi aa jaana chahiye tha par mai aisa kar nahi paaya...mere aage jhuk kar mujhe aur sharminda nahi kijiye....



1ST SAMAY SANCHALAK-aapki vaani aur usse nikla har vaakya aapke charitr aur aapke chavi ki mahanta darshata hai...

hum aapse mil paaye,isse badi samman ki baat hamare liye kuch nahi ho sakti.....



mai unki baat sun bas muskura diya....



MAI-aap ki saza aur dard ka anth karne ke liye hume is PLANET se nikalna hoga...aur ek baar aap is grah se baahar nikal apne grah YELUPTUS pahunch gaye toh aap sabki har taklif khatm ho jaayegi....

kintu usse pehle mujhe ek atti awashayak kaarya pura karna hai...



2ND SAMAY SANSHALAK- kya aap???



MAI- haan,mai ussi kaam ke baare me baat kar raha hun.....kya aap sab kuch der aur pratikhsa kar sakte hain.....

maine us SAMAY SANCHALAK ki baat kaat kar apni baat kahi jisse sun....



1ST SAMAY SANCHALAK-jab itne varsho tak yahan rahe hain toh kuch pal me kya fark padega..aur waise bhi,jis kaam ki aap baat kar rahe hain,wo bhi atti avashyak hai....



RONIT- abbe aur kaun sa kaam bacha hai???saare SHADOWS toh yahi hai naa....!!!!

MAI- saare nahi....

RONIT- matlab...!!!

MAI-sab pata chal jaayega...par uske liye hume yahan se jaana hoga..



apni baat keh mai AVANTIKA ko le hawa me uth gaya aur mere saath hi mere baaki ke chaaron dost bhi hawa me uth gaye aur agle hi pal hum ek disha ki aur aage badh gaye...

raaste me maine RONIT aur baaki teeno ko SAMAY SANCHALAKON ki puri history batayi jisse sun un sab ko bhi bohot dukh hua...

baat karte karte hum us jagah par pahunch gaye the jahan hume pahunchna tha isiliye hum sab neeche zamin par utar gaye par isse pehle ki koi mujhse kuch puchta...



MAI-RONIT,MONSLICKEL jaane se pehle aur wahan se aane ke baad mai aur AVANTIKA kahin jaate the...

tu jaanana chahta tha naa ki hum kahan jaate the aur kyun jaate the.....???



mere yun achanak is baat ko chedne ka kaaran toh RONIT ko samajh nahi aaya par wo itna toh samajh hi gaya tha ki mai kuch bhi bewajah nahi kehta aur isiliye....



RONIT- jaanana chahta tha nahi janana chahta hun.....



maine ek baar AVANTIKA ko dekha jo mujhe hi dekh rahi thi....



MAI-TWISTED DIMENSION...us jagah kaa naam jahan hum dono jaaya karte the....

Ek aisi jagah jahan naa toh paap ka raaj hai aur naahi punya ka...

aur jaanta hai hum wahan kyun jaate the???



RONIT ne naa me apna sir hilaya.....



MAI- apni baayen taraf dekh.....



mere kehne par jaise hi RONIT ne apni gardan left taraf ghumayi,toh uske agle hi pal usne turant apni gardan wapas meri taraf kar di....

mai uske aisa karne ka reason jaanta tha aur isiliye....



MAI- IS BAAR NAA TOH KOI MAAYA HAI,NAA TOH KOI CHHAL.....NAA TOH KOI DHOKA HAI AUR NAAHI KOI KHWAAB....SIRF SACH HAI......



meri baat sun RONIT ke pair kaampne lage..dhadakte dil aur ashk bhare aankhon ke saath wo wapas apne left ki taraf palta aur agle hi pal uske mooh se awaaz nahi balki ek cheekh nikal padi......



RONIT-ANJALIIIIIIIIIIIIIII..........................




 
Member
278
52
28
FINAL CHAPTER





(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)





MEGA UPDATE-111





FINAL ADVENTURE





FINAL PART





PLANET-SHADOW WORLD





PLACE-HILLS FRONT






MAI- IS BAAR NAA TOH KOI MAAYA HAI,NAA TOH KOI CHHAL.....NAA TOH KOI DHOKA HAI AUR NAAHI KOI KHWAAB....SIRF SACH HAI......



meri baat sun RONIT ke pair kaampne lage..dhadakte dil aur ashk bhare aankhon ke saath wo wapas apne left ki taraf palta aur agle hi pal uske mooh se awaaz nahi balki ek cheekh nikal padi......

RONIT-ANJALIIIIIIIIIIIIIII..........................



RONIT ki is cheekh me uska itne samay tak dabaya hua dard,uski tadap,uski majburi,uska junoon,uski khud se chal rahi jaddojahat,uske dil ki chitkaar aur ussi dil ke har kone me basa hua uska ANJALI ke liye beshumar PYAR saaf jhalak gaya....

in saare bhavnaao,feelings ko hum paachon ne bhi feel kiya tha...

jahan mai,AKSHAANT aur MOKALSAR khudko control me rakhe hue the wahin AVANTIKA aur SHAILA ke aankhon me aansu tair chuke the.....

wahin hum sab se kuch hi door ek bade se chattan ke saamne aakhen band kiye hue dhyan me baithi hui ANJALI ke kaano me jaise hi uske naam ki cheekh gunji,toh uski aankhen jhat se khul gayi.....

aur aankh khulne par jaise hi ANJALI ki nazar humpe gayi toh pehle toh usse behad hairat hui par ye hairat us khushi ko uske chehre par aane se rok nahi paayi....

ek pal ka hairat zindagi bhar ke khushi ki shakal me badal gaya....

hum sab ko chamakti aakhon se dekhne ke baad ANJALI ki nazar ek chehre par tik gayi...

ye chehra RONIT ka tha jo usse apni bheegi aankhon se ek tak dekh raha tha....

RONIT par nazar padte hi ANJALI ki nazaren bhi uspar aakar tik si gayi....aisa lag raha tha maano dono ki aakhon ke beech ek adrishya pool ban gaya hai jisse dono hi jud gaye hain.......

kehte hai sabse tez,saaf aur sachhi awaz khamoshi ki hoti hai..khamosh zuban aankhon ke zariye wo baaten keh deta hai jo zuban shayad kabhi na keh paaye.....

ek tak ek dusri ki aankhon me doobe RONIT aur ANJALI is waqt ussi khamoshi ki bhasha me baat kar rahe the...

dono ke zuban khamosh the par dono ke DIL apas me baat kar rahe the....

waise toh mai har kisi ke man ki baat padh sakta hun par filhal in dono ke dilon ke beech kya baatein ho rahi hain,usse jaanane ke liye mujhe in dono ke man me jhaakne ki koi zaroorat nahi thi...

mai hi kya,mere saath mera haath thaame khadi AVANTIKA,mere peeche khade AKSHAANT,SHAILA,aur MOKALSAR bhi in dono ke dil ki baaton ko samajh paa rahe the....

hume ANJALI ke saamne aaye,RONIT ko ANJALI ke naam se cheekhe aur ANJALI ko hume dekh fir RONIT ki aankhon me khoye hue 10 minute se upar ho chuke the....

par ab tak naa humme se kisi ne kuch kaha tha aur naahi RONIT aur ANJALI ne....

maine bhi abhi tak kuch nahi kaha tha kyunki mujhe pata tha ki RONIT ab tak bas duniya ke liye zinda tha par andar hi andar wo har pal mar raha tha...

par abhi abhi ANJALI ke roop me jo nayi zindagi RONIT ke andar wapas apna ghar basa rahi hai,usme thoda waqt toh lagna hi tha....

wahin itne samay tak yahan kaid hone ki wajah se hamare saamne khadi ANJALI ke man ki bhi ummid ki jyoti dheere dheere marne si lagi thi...

par aaj hume dekh aur specially RONIT ko dekh us bujhti jyoti me phir se tel pada tha jisne us jyoti ke aakar ko aag me badal diya tha....

ANJALI ke man me uthe hue us prachand aag ke veg ko bhi wapss jyoti me badalne ke liye thoda waqt chahiye tha......

kuch aur palon tak yunhi khade hokar ANJALI ko niharne ke baad RONIT ke kadam dheere dheere ANJALI ki taraf badhne lage....

wahin ANJALI jo abhi bhi ek tak RONIT ko dekhe jaa rahi thi,RONIT ko apne paas aata dekh usse bhi khudme ek hararat mehsoos hui...

filhal abhi toh uske paas dil nahi tha,par fir bhi RONIT ko apne kareeb aata dekh usse aisa mehsoos hua ki uske andar kuch dhadak sa utha hai.....

aage badhta hua RONIT thik ANJALI ke saamne pahunchkar rook gaya...abhi bhi RONIT ko uske saamne khadi ANJALI ki vaastavikta ka gyaan nahi hua tha....

wo toh bas ANJALI ke khubsoorat chehre ko nihar raha tha.....

itne der tak khamoshi ko baat karte dene ke baad ab baari thi labon ke hilne ki aur isiliye.....



ANJALI-RONIT.......



RONIT...........bas itna hi kaha ANJALI ne par shayad itna hi kaafi tha.....kya react karun???kaise react karun???jaise sawalon se RONIT ka vivek uska dimag jo uljha hua tha,ANJALI ke mooh se apna naam sun wo uljhan khatm ho gayi......



RONIT-ANJU...........



ANJALI ki hi tarah bas itna hi keh paaya RONIT aur agle hi pal apne dimag me uth rahe uljhano ko khatm kar........

RONIT ne jhat se aage badhkar apne dono haathon ko dono taraf se badhaya taaki ANJALI ko khudme samat sake par tabhi.....



RONIT- arre ye kya???mai tumhe chu kyun nahi paa raha hun????



jahan RONIT awishwas bhari aakhon se ANJALI ki taraf dekh raha tha wahin ANJALI ke chehre par ek fiki si muskaan thi....

kuch der tak situation ko samajhne ki koshish karne ke baad jab RONIT ne ek baar firse ANJALI ki taraf dekha ya fir ye kahun ki ANJALI ke chehre ke saath saath usse upar se neeche tak observe kiya toh.....



RONIT-tumhari body transparent kaise?????



ANJALI-MAI EK AATMA HUN........AUR AATMA KO CHUA NAHI JAA SAKTA.....

RONIT-WHAT?????????



ye ek naya bomb tha jo is waqt RONIT ke upar gira tha..sirf RONIT par hi nahi,ANJALI ki baat sun MOKALSAR,AKSHAANT aur SHAILA ko bhi zor ka jhatka laga...

ye teeno toh bechare abhi tak is shock se bhi thik se nahi ubhre the ki ANJALI zinda hai aur tabhi unhe ek naya shock laga tha....

aur is SHOCK ke saath RONIT aur in teeno ke man me ek naye dar ne bhi ghar kar liya tha.....

dil hi dil apne us dar ko sirf ek jhooth sabit hone ki dua karte hue.....



RONIT-par tu toh zinda hai naa????!!!!!!



is ummid ke saath ki ANJALI ke mooh se HAAN nikle......
dhadakte dil se RONIT ne apne sawal ko ya fir ye kahun ki apne dar ko ANJALI ke saamne rakha......



ANJALI- mujhe nahi pata.....


ANJALI ke jawab ko sun RONIT ke saath saath mere teeno dost ko fir se shock laga...



RONIT- nahi pata matlab???tujhe apne zinda rehne ke baare me nahi pata hoga toh kisse pata hoga???



ANJALI ne kuch kaha nahi bas apni nazaren mujhpar kar di.....is waqt ANJALI ki nazar me dar aur ummid dono dikh rahe the....



TU MAR CHUKI HAI.....is baat ko sunane ka dar......

TU ZINDA HAI.....is baat ko jaanane ki ummid......



jaise hi ANJALI ne meri taraf dekha,toh uski nazar ka picha karte hue RONIT ki nazar bhi mujhpar tik gayi...aur uske aakhon me bhi samne feelings dikhne lage....

dar aur ummid........



MAI-darne ki zaroorat nahi hai ANJU.....teri ummid sahi hai....TU ZINDA HAI......



meri baat sun ANJALI se zyada toh RONIT ki aankhen chamak uthi aur isiliye.....



RONIT- sach......



ye bol ya fir ye kahun ki ye chiila RONIT wapas meri taraf dauda aur saale ne mujhpar kudate hue mujhe zor se hug kar liya....



MAI- abbe hat...saale,itne din baad teri G.F tere paas hai phir bhi mujhse gale lage pada hai tu....saale tere preferences toh nahi badal gaye naa....

jahan meri baat sun baaki sab has pade wahin RONIT pe kuch khaas fark nahi pada..wo waise hi mujhe kas kar gale lagaye raha.....uske aankhon me ab bhi aansu the par is bar wo aansu khushi ke the....



MAI- ab bas bhi kar yaar.....jaa aur ANJALI ko hug kar apne tadapte dil ko sukoon pahuncha.....



meri baat sun RONIT mujhse alag hua aur....



RONIT- kaise yaar????wo toh abhi spirit form me hai...aise me toh mai usse touch bhi nahi kar sakta aur tu gale lagane ki baat karta hai....

MAI-ek baar try toh kar..kya pata connection ho jaaye....!!!



meri baat naahi RONIT aur ANJALI ko samajh aayi aur naahi mere baaki ke teeno doston ko.....



AVANTIKA- RONIT, V.J ne jo kaha hai wo kar..sab samajh me aa jayega....



AVANTIKA ki baat sun RONIT wapas palta aur ANJALI ki taraf badh gaya..aur is baar jaise hi RONIT ne ANJALI ko hug karne ke liye apni baahen failate hue apne dono haathon se ANJALI ke kareeb laaya toh usse aur uske saath saath ANJALI ko bhi ek jhatka laga.....

reason.....is baar RONIT ke haath ANJALI ki spirit ke aar paar nahi hue....wo usse chu paa raha tha....

wahin RONIT ke haathon ko khudpar mehsoos kar ANJALI ko bhi shock laga...

wo jhat se RONIT se alag hui aur khudko dekha...RONIT ki bhi nazar uspar hi thi...

ek baar firse dono ko shock laga aur iska kaaran ye tha ki ANJALI ab bhi spirit form me hi thi....

dono apni apni aakhon me hairat liye meri taraf dekhne lage wahin mai aur AVANTIKA toh muskura hi rahe the...



MAI- maine tere SPIRIT form ko kuch der ke liye SOLID kar diya hai....ab ye hairaniyan chhodo aur ek dusre ko ache se mehsoos kar lo..zyada waqt nahi hai....



meri baat sun RONIT aur ANJALI khush ho gaye aur agle hi pal.......



RONIT aur ANJALI ek dusre me sama chuke the...dono ne ek dusre ko itni zor se hug kiya tha maano ek dusre ke andar sama jaana chahte hon....

kuch der tak yunhi ek dusre ko andar tak mehsoos karne ke baad jab dono ka aalingan khatm hua toh dono ke lab ek dusre se jud gaye.....

aankhen band kar dono hi ek deep kiss me kho chuke the....agar ek dusre ko baahon me sametne ke baad bhi kuch kasar baaki reh gayi hogi toh wo is chumban is kiss me nikal jaani thi...

dono pure shiddat ke saath ek dusre ke labon ko mehsoos karne me lage hue the..is kiss me koi hawas,koi lobh nahi tha....tha toh bas PYAAR......



MAI- lo kar lo baat...saala yahan hum in dono ke chakkar me upwas kiye khade hain aur ye dono milte hi boondiya lootne me lag gaye....



meri baat sun AVANTIKA has di......



reason...doston aapko yaad hoga ki TWISTED DIMENSION me mai aur AVANTIKA kiss karne waale the ki tabhi AVANTIKA ke dimag me ek baat aayi jisse sun aur samajh maine AVANTIKA ko kiss nahi kiya tha...

toh wo baat ye thi ki AVANTIKA ke dimag me us waqt RONIT ka gum ghum raha tha aur jis lamhe me mai AVANTIKA ko kiss karne waala tha,ussi pal me AVANTIKA ke dimag me RONIT ka rota chehra aur ANJALI ki aatma ka tadapna mehsoos kiya....

ji haan doston,AVANTIKA ko maalum tha ki ANJALI zinda hai aur wo bhi SPIRIT FORM me.......kaise??ye thodi der me pata chal jaayega...

khair,jaise hi maine AVANTIKA ke dimag me upji RONIT aur ANJALI ki taswir ko mehsoos kiya,mai rook gaya.....

aur isiliye hi maine abhi tak AVANTIKA ko kiss nahi kiya tha.....

AVANTIKA ko hasta dekh maine usse kuch der tak ghura par fir mai bhi has diya..

wahin hum dono ke yun achanak hasne ka reason mere piche khade doston ko samajh me nahi aaya par unhone kuch kaha nahi...

ye toh thi humari baat,par humare saamne ka scene abhi bhi same tha....ANJALI aur RONIT ka kiss abhi bhi pure zor par tha aur shayad ye aur bohot der chalta par tabhi.......



ANJALI ki aatma jo ki solid form me thi,wo wapas transparent hone lagi jisse dekh AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA chownke...

wahin RONIT jo ki ANJALI ko pure shiddat se kiss kar raha tha aur ussi shiddat ki wajah se uski aankhen band thi,usse bhi jab dheere dheere ANJALI ke honthon ki chhuan ka ehsaas kam hota laga,toh usne bhi apni aakhen khol di....

aankhen khol jab RONIT thoda peeche hata toh usse bhi ANJALI ko yun wapas transparent form lete dekh jhatka laga.....

waise is parivartan se shocked toh khud ANJALI bhi thi.....



RONIT- yaar ye kya hua???ANJU wapas pehle jaise kaisi ho gayi???

MAI-tujhe is baat ka afsos hai ki ANJU wapas apne spirit form me chali gayi ya fir is baat ka gum hai ki teri kiss me rukawat aa gayi....



jahan meri baat sun AVANTIKA,AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA has diye wahin RONIT halka jhemp sa gaya aur ANJALI sharma gayi....



RONIT- bhai,mazak chhod aur bata naa ki ye wapas pehle jaisi kaise ho gayi???

MAI-jo solidity maine ANJALI ki aatma ko di thi,wo temporary thi...jaise hi us solidity ka time khatm hua,ANJALI wapas apne purane form me aa gayi....

RONIT- toh bhai,ANJU ke solid form ko permenent kar de naa....

AKSHAANT- haan,fir ANJALI ko body ki zaroorat hi nahi padegi....

MAI-aisa nahi ho sakta...har aatma kisi bhi insaani lok me uske sharir ke sahare hi reh sakti hai...

sharir hi aatma ka hardware hota hai,jisse chua jaa sakta hai...aur filhal ANJALI ka hardware matlab uska sharir usse alag hai..

aise me mai uski aatma ko uske sharir ke kaam me bas kuch der tke liye hi laa sakta hun..agar maine ANJALI ki is spirit form ko zyada der tak solid banaye rakha,toh us form ke saath saath ANJALI ka ye spirit form bhi hamesha ke liye khatm ho jaayega....

meri baat sun sab ek baar firse shocked ho gaye par tabhi RONIT ke dimag me ek sawal koundha aur.....



RONIT- hang on....tune abhi kaha ki ANJALI ka sharir filhal usse alag hai???iska kya matlab hai???ANJALI ki body toh jala di gayi hai naa!!!!

MAI-hmm...ab aaya naa mudde par....mai soch hi raha tha ki kaise ANJALI ko dekhkar tera dimag kaam karna band kar gaya hai???

waise sawal toh sabhi ke man me hai par sabse zyada kulbulahat is waqt SHAILA ke dimag me ho rahi hai,haina SHAILA???



meri baat sun pehle toh SHAILA hadbada gayi par fir....



SHAILA- haan VIKRAM...jab se maine ANJALI ko dekha hai,tabhi se mere dimag me najaane kitne hi sawalon ne bhagdadh machayi hui hai...

ANJALI zinda kaise hai????aur agar ye zinda hai toh fir ye ek aatma ke roop me kaise hai???iska sharir kahan gaya????

aur sabse mahatwapurn sawal ki ye is SHADOW WORLD me kaise fas gayi...

RONIT- nahi SHAILA....sabse important sawal ye hai ki jab ANJU zinda hai toh V.J ne hume bataya kyun nahi......????



RONIT ke sawal me ek narazgi thi jo hum sabne saaf mehsoos ki thi.....



MAI- sab batata hun.....par isse pehle tu mujhe mere do sawalon ka jawab de....



pehla sawal....ANJALI ke jaane ke baad in dedh saalon me kya tune kabhi bhi mujhse ANJALI zinda hai ki nahi,ye sawal pucha tha????

RONIT- ye kaisa sawal hai????ANJALI ke sharir ko khud hamare ghar waalon ne agni di thi...fir mai ye sawal kyun karta???

MAI-tu ye kaise keh sakta hai ki jis sharir ko agni di gayi thi,wo ANJALI ki hi thi....???

jis waqt us sharir ko agni di jaa rahi thi,tu toh khud koma me tha...aur sabse badi baat,BEELZEBUB aur SHAILA se yudh karte waqt ANJALI se pehle teri aakhen band hui thi toh tu ye kaise is natije par pahuncha ki tere aankh band karne ke baad un dono ne ANJALI ko maar diya hoga.....????



meri baat ya fir ye kahun ki mere tark ko sun RONIT hadbada gaya...wo jaanta tha mera tark apni jagah par bilkul sahi tha....

BEELZEBUB aur BHUVIKA se ladte waqt ANJALI se pehle uski aankhen band hui thi...

toh aise me uske behosh hone ke baad kya kya hua hoga,wo ye kaise bata sakta tha???

aur fir jab RONIT ko hosh aaya ye fir ye kahun ki maine usse hosh me laaya uske baad bhi uske dimag me ek baar bhi ye sawal nahi aaya ki kya ANJALI zinda ho sakti hai!!!!!

hosh me aane ke baad se hi RONIT ne sirf ANJALI ke jaane ka gum galat hi kiya tha...kabhi bhi uske dimag me ye vichar nahi aaya ki uske saath chhal bhi ho sakta hai...

aur is baare me usne mujhse kabhi baat bhi nahi ki...kabhi nahi pucha ki uski aankhen band hone ke baad kya kya hua tha????

mere pehle sawal aur us sawal ke baad mere diye tark ko sun RONIT ko apni bhul ka ehsaas ho gaya tha......par mai jaanta tha ki wo mere dusre sawal ko bhi sunana chahta tha...



RONIT-aur dusra sawal......

MAI- yaad karke bata ki jab se ANJALI hum se door hui aur tum sabne usse mara samajh liya,is dauran kya maine ek baar bhi ye baat kahi hai ki ANJALI mar chuki hai....

meri baat sun RONIT ko firse ek baar jhatka laga....sach hi toh tha,maine kabhi ye nahi kaha tha ki ANJALI mar chuki hai...

mere mooh se hamesha yahi nikla tha ki ANJALI HUMARE BEECH NAHI HAI....

mai aisa kyun kehta tha,ye ab RONIT ko samajh me aa raha tha aur saath hi meri sikhayi wo wo baat bhi uske zehen me ubharne lagi jab mai usse kehta tha ki shabdon ko hamesha dhyan se suna kar..

kyunki har shabd me hamare kisi na kisi sawal ka jawab chupa hua hota hai....



RONIT-oh shit....haan yaar,is taraf toh mera dhyan hi nahi gaya....

MAI- aur naahi AVANTIKA ki taraf....yaad hai jab tu AVANTIKA se college me mere baare me puchne gaya tha aur isne tujhe daanta tha tab isne bhi meri hi tarah tujhse baat ki thi aur ANJALI ke baare me baat karte hue isne bhi same baat ki thi...

isne ye nahi kaha tha ki ANJALI mar chuki hai.isne bhi yahi kaha tha ki ANJALI hamare beech nahi hai....



meri baat sun RONIT firse chownka...par is baar uske saath saath ANJALI bhi chownki thi....



RONIT- toh kya AVNI ko bhi ANJALI ke zinda hone ke baare me maalum tha????

MAI-ussi din college me isse is baare me pata chala tha....



meri baat sun RONIT fir se chownk gaya par isse pehle ki wo kuch puchta....



ANJALI-RONIT ko AVANTIKA ne daanta tha...!!!par kyun????aur RONIT ko V.J ke baare me aisa kya pata karna tha jo usse AVANTIKA ke paas jaana pada.....????



ANJALI ka sawaal sun sabko yaad aaya ki in dedh saalon me kya kya hua hai,is baare me ANJALI ko kuch bhi pata nahi hai???

aur isiliye.....



RONIT-ANJU...in dedh saalon me bohot kuch hua hai....aur in sab ghatnaon ki shuruat V.J ke COURIOUS WORLD me jaane ke baad shuru hua...



RONIT ke mooh se COURIOUS sun ANJALI fir chownki..usse yaad aaya ki ek baar maine usse aur RONIT ko is jagah ke baare me bataya tha....



ANJALI-COURIOUS!!!!par V.J toh ISLA gaya tha naa?????

RONIT- haan,par uske baad wo COURIOUS gaya tha...



iske baad RONIT ne ANJALI ke mere saath kya kya hua tha,wo sab batane laga...
jaise jaise RONIT ki baat aage badhi,ANJALI ke chehre par dard saaf dikhne laga...

aur ye jaankar ki mujhse mera astitv alag ho gaya tha aur us wajah se meri aur RONIT ke beech ladhayi hui,jiski wajah se mai ghar chhodkar chala gaya,uska dard aur badh gaya.....

jaise jaise mere,AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA ke saath jo jo hua wo sab RONIT batata gaya,waise waise ANJALI ki taklif badhti chali gayi aur isiliye.....



ANJALI turant mere paas aayi aur usne mujhe hug karne ki koshish ki par wahi hua jo RONIT ke saath hua tha...ANJALI ke haath mere sharir ke aar par ho gaye jisse ANJALI aur zyada udaas ho gayi....



MAI-udas kyun ho rahi hai???tu bhale hi abhi mujhe chu nahi sakti par tujhe feel karne ke liye mujhe kisi hug ki zaroorat nahi hai....



meri baat sun ANJALI ke chehre par ek fiki si muskaan aa gayi....

ANJALI ke dard ko RONIT ne mehsoos kiya aur isiliye.....



RONIT-waise tujhe ek breaking news dun??waise toh sabke liye ye purani khabar hai par tere liye ekdum fresh hai....



RONIT ki baat aur uski awaaz ki excitement sun ANJALI apne aankhon me sawal liye usse dekhne lagi...



RONIT-V.J aur AVANTIKA ab friends nahi balki ek COUPLE hain....



RONIT ki baat sun pehle toh ANJALI solid chownki par fir wo ekdum khushi se ucchal padi....ek pal me hi jaise ANJALI ka mood thik ho gaya tha....



ANJALI- mujhe pata tha ki ek naa ek din aisa zaroor hoga.....



ye bol ANJALI mujhe aur AVANTIKA ko hug karne ke liye ek baar firse aage badhi par...



MAI- rook jaa rook jaa..excitement me tu fir bhul gayi ki filhal tu spirit form me hai....

ANJALI-wo sab chhod,pehle ye bata ki pehle propose kisne kiya tha????

RONIT- arre jab inki kahani hi normal nahi hai toh fir inka propose kaise normal hoga??
sun kya hua tha....



ye bol RONIT ANJALI ko FOUNTAIN OF LIGHTS ke andar kya kya hua aur kaise AVANTIKA ne mujhe kiss kar propose kiya aur mujhe bachaya,batane laga....

RONIT ne ANJALI jab ye bataya ki mere astitv ke kho jaane se pehle kaise maine AVANTIKA ko LORD OF ANGELS banaya tha toh usse shock laga par uske agle hi pal uske dimag me kuch click kiya....



ANJALI-oh....toh isiliye mai tujh tak nahi pahunch paa rahi thi AVNI....



ANJALI ki baat sun sabko ek baar firse jhatka laga....



RONIT- nahi pahunch paa rahi thi matlab....!!!

ANJALI-jabse mai yahan kaid hun,tabse mai lagatar har waqt dhyan me hi baith tum me se kisi na kisi se contact karne ki koshish karti rehti hun..

par shayad is grah me me koi kawach jaise kuch laga hua hai,isiliye aisa karna bohot mushkil hai..

par kuch mahine lagatar koshish karne ke baad mai apni aantarik ujra ko is jagah se baahar nikalne me kaamiyab huyi..

pehle maine V.J se contact karne ki koshish ki par nahi kar paayi...

aur jaisa ki tumne bataya ki V.J ke saath kya hua tha isiliye mujhe lagta hai ki shayad iska reason ASMODEUS ka V.J ke andar behta khoon tha jiski wajah se mai is tak nahi pahunch paa rahi thi...

uske baad maine tujhse contact karne ki koshish ki aur meri aantarik shakti ne tujhe khoj bhi liya tha par najane kaise tujhtak pahunchne se pehle hi meri aantarik shakti ko ek jhatka laga aur usse wapas loutna pada.....



ANJALI ki baat sun RONIT ko ek baar firse jhatka laga...wo kuch kehta isse pehle hi....



MAI-wo maine kiya tha..teri aantarik shakti ko maine RONIT tak pahunchne se pehle rok diya tha....



meri baat sun RONIT ke saath saath ANJALI ko bhi jhatka laga...



ANJALI- tune!!!par kyun aur kaise???tune toh apna astitv kho diya tha naa...

MAI- astitv khoya tha,shaktiyan nahi....tu zinda hai,ya fir ye kahun ki tu mar hi nahi sakti,ye mai achi tarah jaanta tha..



mai ye bhi jaanta tha ki tu humsab ko contact karne ki koshish bhi zaroor karegi,isiliye hi maine RONIT ke chaaron taraf ek aisi shield ka nirman kiya jisse teri awaaz is tak naa pahunch paaye...

MAI-par iske bawajud ANJU ne haar nahi maani..kyun ANJU??

ANJALI-haan...RONIT ke baad maine AVANTIKA se contact karne ki koshish ki...

par mai ek baar firse naakamiyab rahi....meri antarik shakti kamsekam RONIT ke paas toh pahunchi thi,par AVANTIKA ke maamle me aisa bhi nahi ho paaya....

meri aantarik shakti AVANTIKA ko dekh tak nahi paayi aur iska reason mujhe ab samajh me aa raha hai....

shayad V.J ki urja ki wajah se AVNI tak pahuncha hi nahi jaa sakta tha...haina???



ANJALI ne ye sawal mujhe dekhkar pucha tha jispar maine haan me apna sir hilaya....



ANJALI- AVANTIKA tak naa pahunch pane ke baad maine SHANAYA ko target kiya par tab bhi mai fail hui...

shayad AVANTIKA ki urja ki wajah se uske pariwar ke log bhi ek cover ke andar aa gaye the...

itni koshishon ke baad bhi lagatar fail hone ki wajah se mai kaafi nirash ho gayi thi..kuch waqt tak maine apni koshishen chhod di thi par fir....



MAI- tujhe ek aur chehre ka khayal aaya jisse jud kar tu humse contact kar sakti thi....



AVANTIKA- aur ye chehra tha SHAIFALI ka.....



meri baat ko AVANTIKA ne pura kiya jisse sun RONIT ko ab tak ka sabse bada jhatka laga....



RONIT- what???SHAIFALI?????



AVANTIKA- haan SHAIFALI...ANJALI jaanti thi ki humare group me koi bhi baahar ka banda allow nahi hai par SHAIFALI hi ek aisi ladki hai jisse hum regularly baat karte hain...

yaad hai abhi V.J ne kuch der pehle bataya tha ki jab meri tujhse behes hui thi,ussi din mujhe ANJALI ki baare me pata chala tha...



AVANTIKA ki baat par RONIT ne haan me apna sir hilaya....



AVANTIKA- tujhe yaad hai jab us din tu,SHANAYA aur SHAIFALI canteen me baithe hue the,us waqt SHAIFALI ke sir me dard tha....

RONIT- haan....

AVANTIKA-wo dard usse DELHI se hi ho raha tha wo dard bhi ANJALI ki hi wajah se tha...

jis waqt SHAIFALI DELHI me thi aur us restuarant me gayi thi jahan V.J job karta tha,thik tabhi ANJALI ne apni aantarik shakti ko SHAIFALI ke dimag ke andar pahunchaya tha...

aur jab SHAIFALI ne V.J ko us resturant me dekha,toh uske saath saath ANJALI ko bhi V.J ka abhaas hua tha...

par isse pehle ki SHAIFALI ke through ANJALI V.J se kuch kehti,V.J ne ANJALI ki aantarik shakti ko SHAIFALI ke dimag se nikal baahar fek diya....

iska reason bhi yahi thi ki V.J nahi chahta tha ki ASMODEUS ko ye bhanak lage ki V.J ko pata hai ki ANJALI zinda hai....

SHAIFALI ke andar tum sab jaisi taakat toh hai nahi,wo ek normal ladki hai...

issi wajah se jab ANJALI ki aantarik shakti ne usse judne ki koshish ki toh SHAIFALI ke dimag par extra presurre pada jiski wajah se uske sir me dard hone laga tha..

SHAFALI ussi raat DELHI se MUMBAI aa gayi thi aur jab next day wo college aayi toh uske sir me tab bhi dard tha...

aur jab mera haath uske haath pe touch hua toh mujhe jhatka laga..

kyunki V.J ki urja ki wajah se usse chhute hi mujhe uske saath ek din pehle kya hua tha,wo pata chal chuka tha....

ANJALI zinda hai ye jaankar muhe kitni khushi hui thi,ye mai bata nahi sakti thi..

aur isiliye hi tujhse behes karte waqt maine ye nahi kaha tha ki ANJALI mar chuki hai ba;lki ye kaha tha ki ANJALI humare beech me nahi hai.....



RONIT- oh betaji....itna lamba chowda game chal raha tha aur saala mujhe pata tak nahi tha....

MAI- wo isiliye kyunki jahan buddhi lagani chahiye wahan bhi tu dil se kaam chala raha tha....

waise ANJU ne iske baad bhi ek aur koshish ki thi..kyun ANJU????

ANJALI- haan....maine ek baar firse RONIT se judne ki koshish ki par firse fail hui....

MAI- haan par puri tarah se nahi....



meri baat ANJALI ko samajh me nahi aayi...



ANJALI- matlab???

MAI-matlab ye ki bhale hi teri aantarik shakti is tak nahi pahunch paayi thi,par haan,teri ek cheez thi jo iske andar pahunch gayi thi...

AVANTIKA- pahunch gayi thi ya fir tumne pahuncha di thi....

MAI- ek hi baat hai...

ANJALI- tum dono kya baat kar rahe ho,mujhe toh kuch samajh me nahi aa raha hai....!!!!!

RONIT- toh mujhe kuch kahan samajh me aa raha hai...aur V.J tune ANJALI ko mujhtak pahunchne se kyun roka????

MAI- yaad kar tu us waqt kis condition me tha...ANJALI ka naam sunte hi teri condition ajeeb ho jaati thi...

agar ANJALI ki aantarik shakti ki awaaz tujh tak pahunch bhi jaati naa,toh usse tu khush nahi hota balki paagal ho jaata....

tu us waqt stable nahi tha aur aisa kuch hone par tu samajhta toh kuch nahi ulta tera dard aur badh jaata jisse tujhe hi nuksaan hota...

RONIT-arre waah,aise kaise???

MAI=proof dun???



meri baat sun RONIT hadbada gaya kyunki wo jaanta tha ki agar maine kuch kaha hai toh yunhi toh kaha nahi hoga....



MAI-sun....yaad hai,jab hum sab BHUVIKA ko lekar MONSLICKEL se wapas aaye the..

tab jab bhi BHUVIKA tujhse kuch kehne ki koshish karti,usse pehle hi tu usse maar deta tha...

usne kaafi baar koshish ki par har baar tune bina uski baat sune usse maarta raha...

aur reason...ANJALI....tujhe bas ek baat samajh aa rahi thi aur wo ye ki BHUVIKA ne ANJALI ko maara hai..aur isiliye tu andha dhund usse peete jaa raha tha..

tune ek baar bhi nahi socha ki BHUVIKA me us waqt tujhse bohot zyada taakat thi uske baad bhi wo chup chaap tujhse maar khaa rahi thi...

wo bas tujhse kuch kehna chah rahi thi par tune usse kuch bhi kehne hi nahi diya..

uske baad bhi jaate jaate usne kuch kaha tha,wo baat yaad hai????



meri baat sun RONIT ko wo din yaad aa raha tha jab wo BHUVIKA ko maar raha tha aur itni zyada shaktishali hone ke baawajud bhi BHUVIKA ne usse kuch nahi kiya tha....

aur aakhir me mere sawal ko sun RONIT ko BHUVIKA ki kahi aakhri baat yaad aayi jo usne RONIT se kahi thi....



MAI MAAFI KE KAABIL TOH NAHI PAR FIR BHI MAI TUMHARI MAAFI KA INTAZAR KARUNGI....



is baat ke yaad aate hi RONIT ke dimag ki batti jali....



RONIT- oh teriki..toh wo is baare me baatkar rahi thi...

MAI- hmm..maafi ke kaabil naa hokar bhi maafi ka intazar karna....ye koi kyun kahega??wo jaanti thi ki ek na ek din tu ANJALI se zaroor milega aur wo chahti thi ki jab bhi aisa ho,toh tu usse maaf karde....

RONIT-beda garg...saala mai bhi ek number ka tube light hun.....



jahan RONIT ki baat sun hum sab has diye wahin ANJALI kuch aur hi soch rahi thi jisse maine dekh liya aur samajh bhi liya...



MAI-kya soch rahi hai ANJU???


ANJALI- yahi ki BHUVIKA ne RONIT se maafi kyun maangi???wo toh ek devil hai naa aur humare saath jo bhi hua uska main reason bhi....

MAI- nahi ANJU..BHUVIKA bhi ASMODEUS ka bas ek pyada thi....



Fir maine ANJALI ko BHUVIKA aur uski sachayi ke baare me sab kuch bataya jisse sun ANJALI ki aankhen fati ki fati rah gayi...



ANJALI- tum dono bhaiyon ke dimag hai ki kya hain??kya kya soch lete ho yaar..????



wo toh acha hai ki ek balance bigadta hai toh dusra us balance ko wapas thik karta hai..

agar dono hi balance bigadne me lag jaate toh ho jaana tha sabka kalyaan...



ANJALI ki baat sun sabhi has diye...



SHAILA- par main question toh reh hi gaya naa....aur wo ye ki ANJALI ko BHUVIKA aur BEELZEBUB ne zinda kaise chhoda...aur ANJALI yahan kaise aayi???



SHAILA ke sawal par maine koi jawab nahi diya bas apna haath aage kar diya....

mere haath aage karte hi hum sabke saamne hawa me ek film jaisa chalne laga..

ye film aur kuch nahi wahi scene tha jisme BEELZEBUB aur BHUVIKA ne RONIT aur ANJALI par humla kiya tha...



us scene ko chalte dekh sabhi samajh gaye ki asal me kya hua tha,wo un sabko dikhne wala hai....



toh hua ye tha ki RONIT ko toh BEELZEBUB ne bol diya tha ki tujhe aisi saza denge jisse tu jite ji mar jaayega...

aur wo saza thi ANJALI ki mout...aur isiliye BHUVIKA ne ANJALI ke pet me ek talwar ghussa di thi....

RONIT already behosh ho chuka tha...talwar pet me ghudte hi ANJALI niche zamin par gir gayi aur girne ke kuch hi lamho ke baad uski aatma uske sharir se baahar nikal aayi...

aam aadmi aatma ko sharir se nikalta hua nahi dekh sakta par BEELLZEBUB aur BHUVIKA ki baat alag thi..

un dono ne ANJALI ki atma ko uske sharir ko chhod baahar aate dekha aur ye dekhkar wo khush ho gaye...

jahan ek taraf BEELZEBUB aur BHUVIKA haste hue ANJALI ki aatma ko dekh rahe the wahin ANJALI ki aatma behad udaas thi....

par kuch der baad BEELZEBUB aur BHUVIKA ki khushi shock me badal gayi...



reason....sharir se nikal ANJALI ki aatma ko prithvi lok se gayab ho jaana chahiye tha par aisa hua nahi...

wo wahin apne sharir ke paas khadi rahi jisse dekh dono chownke the....

waise shock toh ANJALI ki aatma ko bhi laga tha..wo bhi samajh nahi paa rahi thi ki jab uska jeevan kaal khatm ho chuka hai toh wo wahan par kya kar rahi hai....???

BEELZEBUB aur BHUVIKA is baare me soch hi rahe the ki tabhi us jagah par ASMODEUS ki awaaz gunji......



ASMODEUS-ANJALI ko maara nahi jaa sakta.......



ASMODEUS ki awaaz aur usme batayi baat ko sun BEELZEBUB,BHUVIKA aur ANJALI ki aatma shocked ho gaye....

koi kuch kehta tabhi ek baar firse ASMODEUS ki awaaz gunj gayi....




ASMODEUS-VIKRAM ne jaane se pehle ANJALI aur RONIT ko khudke saath jod liya hai....

jab tak VIKRAM in dono ko khudse alag nahi karta ya fir wo khud nahi mar jaata tab tak in dono me se kisi ko bhi maara nahi jaa sakta....

ASMODEUS ki baat sun BEELLZEBUB ki aur khaas kar BHUVIKA ki jal gayi thi....



BHUVIKA- ye VIKRAM jaate jaate bhi hume hara gaya...



ASMODEUS aur fir BHUVIKA ki baat sun ANJALI ki aatma has padi jisse dekh BHUVIKA aur BEELZEBUB ko aur ghussa aa gaya...



ANJALI-tum dono ne ye soch bhi kaise liya tha ki VIKRAM tum jaiso se haar sakta hai....socho,bina saamne aaye VIKRAM ne tum dono ki le li toh jab wo saamne aayega toh tum dono ka kya haal hoga....



ANJALI ki baat sun BHUVIKA ek baar firse naya SPELL bolne jaa rahi thi ki itne me....



ASMODEUS-BHUVIKA,tum turant ANJALI ki aatma ko lekar yahan aao aur BEELZEBUB,jo jagah maine tumhare mastishk me bheji hai,tum ANJALI ke sharir ko lekar wahan jaao..

par usse pehle ANJALI ke sharir ki ek nakal (CLONE ) banakar ek vaahan me uski aur RONIT ke sharir ko daal do aur us vahan ko is jagah se neeche fek do....



ASMODEUS ki baat naa toh BEELZEBUB kaat sakta tha aur naahi BHUVIKA...



jahan ek taraf ANJALI ki aatma ko saath lekar BHUVIKA ASMODEUS ke paas chali gayi jahan usse ASMODEUS ne ANJALI ki aatma ko SHADOW WORLD me kaid karne ka aadesh diya...



(aapko yaad hoga doston ki BHUVIKA ek baar beech me SHADOW WORLD aayi thi aur yahan aane aur SAMAY SANCHALKON se milne ke baad wo aur BEELZEBUB ek dusri jagah ud nikle the..

wo ANJALI ke spirit se hi milne aaye the.....)



wahin BEELZEBUB ne ASMODEUS ke aadeshanusaar pahle ANJALI ke baalon se uske jaisi hi ek nakal banayi aur us nakal aur RONIT ke sharir ko ek vaahan me daal neeche dhakel diya..

uske baad BEELZEBUB ANJALI ki body ko lekar gayab ho gaya....

pura scene khatm hote hi saamne hawa me chal rahi picture gayab ho gayi....

par jaise hi wo picture gayab hui,RONIT turant mere gale lag gaya....



RONIT- yaar,tune khud itni mushkilon me ghire rehne ke baawajud meri aur ANJALI ki safety par dhyan rakh hua tha aur maine tujhe kya kya nahi kaha tha...

MAI- ab tu toh hai hi gadha..aur gadhe ki baat ka kya bura maanana....???



meri baat par sabke saath RONIT bhi has diya.....



MAI-ab toh saare sawalon ke jawab mil gaye naa....!!!!

SHAILA- ek bacha hai....

AKSHAANT- tumhare sawal kabhi khatm hue hai bhala???

SHAILA- kya kaha???

AKSHAANT- nahi kuch nahi..wo toh mai puch raha tha ki ab kaun sa mahatwapurn sawal bach gaya hai???



AKSHAANT ke hadbadahat kodekh hum sab firse has diye....



SHAILA-BEELZEBUB ANJALI ke sharir lekar kahan gaya????

RONIT- arre haan yaar...ye toh main sawal hai....ANJU ki body hai kahan???

MAI- sab pata chal jaayega,par pehle yahan se toh nikle..tu toh ANJALI se sirf dedh saal hi alag raha hai par SAMAY SANCHALAKON ko toh apne grah se najaane kitni sadiyon se door kar diya gaya hain...

ab waqt aa gaya hai ki unhe unka grah aur unka samman wapas kar diya jaaye...

meri baat par sabne sehmati dikhayi aur agle hi pal....

mai sabhi ko lekar hawa me uth chuka tha aur hum sab wapas SAMAY SANCHALOKON ke paas jaane ke liye ud chale.....



AVANTIKA-V.J....wo dekho,SAMAY SANCHALAKON ke neeche ek baar fir se aag jal uthi hai....



maine toh ye pehle hi dekh liya tha par mere saare dost jo ek dusre se baat kar rahe the,AVANTIKA ki baat sunkar un sabki nazar bhi humse thodi door aage zameen par khade SAMAY SANCHALAKON par padi aur un sabko aag ki tapan se tadapte hue dekh hum sabhi ko bohot dukh hua....



MAI-bas kuch der aur..uske baad in sabko khudko diye gaye is avishaap se mukti mil jaayegi...



yahan hum baat karte hue SAMAY SANCHALAKON ke paas pahunch chuke the wahin aag ki tapan se milte dard se tadapte hue un sabki nazar mujhpar padi toh us dard me bhi un sab ki aankhen chamak uthi...

ye pehli baar hua hoga jab itne dard me bhi SAMAY SANCHALAK khush the..aur hote bhi kyu naa,mujhe apne saamne dekh wo sab samajh gaye the ki unki taklif ke din khatm ho chuke hain....






WAHIN SHADOW WORLD KE BAAHAR......




FATHER,VIKRAM ANJALI se mil wapas SHADOWS ke paas aa chuke hain...ab wo kisi bhi waqt un sabko lekar is grah ke kaid ko todte hue baahar aa sakte hain....



ASMODEUS jo ki BEELZEBUB ke saath tab se hi SHADOW WORLD ke baahar pahunch chuka tha,jabse VIKRAM and friends is grah ke andar gaye the,usne BEELZEBUB ki baat par kuch kahe bina apne seene ke upar apna haath rakha aur aisa karte hi....

uske seene ke beeche ek tez roshni hui aur us roshni ke beech se PARIVARTAK baahar aa gaya....

PARIVARTAK ke haath me aate hi ASMODEUS ne usse apne saamne rakh diya...PARIVARTAK ko saamne rakh ASMODEUS ne uske madhya bhaag ko jisse hokar anginat rekhayen charon taraf bani hui thi,usse dabaya...

ASMODEUS ke aisa karte hi PARIVARTAK ke madhya bhaag me ek roshni ubhri aur fir wo roshni rays ke roop me un anginat rekhayon se hoti hui bramhaand ke har jeevan deyi grahon se khudko jodne lagi...

kuch hi palon me bramhaand ka har jeevendeyi grah PARIVARTAK se jud gaya tha jisse dekh ASMODEUS aur BEELZEBUB ke chehre par ek muskaan naach gayi....






BACK TO SHADOW WORLD:-



MAI- CHALEN......



SAMAY SANCHALAKON ke saamne pahunchkar jab maine ye kaha toh un sabhi ne bas mere aage haath jod diye maano keh rahe hon ki ab hume is kasht daayi shraapit jeeven se mukti dila dijiye....



MAI- bas ek kaam aur bacha hai..pehle wo kar lete hain...

RONIT- abbe ab aur kya bacha hai???

MAI-tumhari shaktiyon ko aazmane ka waqt aa chuka hai doston....



meri baat kisi ke bhi samajh me nahi aayi...par isse pehle ki koi kuch puchta...



MAI-ABRAXAS,ABBADON,LILITHA......saamne aao.....



meri baat sun wahan moujud har kisi ko shock laga tha....



wahin ABRAXAS,LILITHA aur ABBADON jo ki SAMAY SANCHALAKON ke hi bhesh me sabse peeche khade hue the,mere nmooh se apna apna naam sun unke toh jaise pran hi kooch kar gaye the...

par ab wo kar bhi kya sakte the,isiliye apne asli roop me badalkar wo dheere dheere saamne aane lage...



doston aapko yaad hoga ki jab mai SHADOW WORLD me aaya tha aus sabhi SAMAY SANCHALAK meri taraf ghume the tab mere chehre par ek muskaan aa gayi thi...

wo isiliye hi aayi thi kyunki maine SAMAY SANCHALAKON ke beech bhesh badle in teeno DEVILS ko pehchaan liya tha....

wahin apne beech 3 DEVILS ko dekh sabhi SAMAY SANCHALAK shocked ho gaye the....

aur unke jaise hi haal AVANTIKA aur mere doston ka bhi tha....



AVANTIKA- ye yahan kab aaye???

MAI- jabse ANJALI yahan hai tabse....



jis bandhan ko hum sab todkar yahan aaye the,wo in teeno ne hi banaya tha..

par uske baad ye teeno behosh ho gaye the..par kuch waqt baad jab ye teeno hosh me aaye toh ASMODEUS ne inhe yahan SHADOW WORLD me ANJALI pe nazar rakhne ka kaam soumpa..

aur tabhi se ye SHADOWS ke bhesh me yahan base hue hain....

ab tak wo teeno DEVILS hum sab ke saamne pahunch chuke the aur jab unhone mujhe apne doston se baat karte hue dekha toh unhone mujhpar waar karne ki sochi aur isiliye....

teeno ne teen agni gole meri taraf feke jo ki behad tez gati se meri taraf badh chale...

mere dost toh meri baat sunane me busy the par is waar ko SAMAY SANCHALAKON ne dekh liya...

par isse pehle ki wo mujhe sachet kar paate,wo gole mere ek dum kareeb pahunch chuke the aur isiliye.....

ek ke baad wo teeno gole mujhse takraye aur fir......



AAHHHH......

AHHHHH......

AHHHHH......



ye dard bhari karaah un teeno DEVILS ke mooh se nikli thi aur reason.....

mujhse takrate hi wo aag ke gole wapas ghum gaye aur 10 guna tezi se jaakar wapas un teeno DEVILS se takraye jisse wo teeno sambhal nahi paaye aur ek ek karaah bharte hue peeche ki taraf jaakar gire....



MAI- saara dimag khudke paas rakh sirf bewakufun ki hi toli bana rakhi hai kya mere BHAI ne....



meri baat sun wahan khada har koi has diya....



RONIT- abbe chutiyon,kya soch kar V.J par waar kiya be tum teeno ne....ab tumhare jaise bhi isse chot pahunchane lage toh fir ho gaya kalyan.....



ab tak teeno DEVILS khade ho chuke the aur apne anjaam ka soch dar ke maare kaamp rahe the...



MAI-chaahun toh ek pal me hi tum teeno ki kaali aatmaon ko tumhare sharir se alag kar us kaali duniya me bhej dun jahan dard aur taklif ke siwa kuch nahi,par mai aisa karunga nahi...



meri baat sun wo teeno DEVILS khush ho gaye par tabhi...



MAI-khush kyun ho rahe ho??maine kaha ki mai aisa nahi karunga,ye toh nahi kaha ki aisa hoga hi nahi....

tumhe mai nahi RONIT,AKHSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA saza denge....



jahan meri baat sun wo teeno DEVILS khush ho gaye wahin ANJALI ko ho gayi tention...



DEVILS isiliye khush ho gaye kyunki unhe laga ki RONIT aur baaki teeno ko wo yunhi hara denge wahin ANJALI ko ye dar satane laga ki agar mere dost un DEVILS se lade toh anjaam wahi hoga jo uska aur RONIT ka hua tha jab wo dono BEELZEBUB aur BHUVIKA se lade the aur isiliye....



ANJALI-V.J ye kya bol raha hai...ye chaaron sirf yoddha hain,aur wo teeno kaali shaktiyon ke rakhwaale..un sabke paas kaali shaktiyon ka bhandaar hai...

kya tujhe yaad nahi ki mere aur RONIT ke saath kya hua tha???fir bhi tu inhe un teeno se ladwa raha hai...



ANJALI ki baat sun un teen DEVILS ko laga ki kahin mai apna irada badal naa dun aur isiliye....



ABBADON-hume manzoor hai..par tumhe bhi vaada karna hoga ki agar hum teeno jeete toh tum hume kuch nahi karoge....

MAI- tumhe lagta hai ki tum jeetoge..chalo,mai tumhe ek aur rihayat deta hun,agar tum teeno me se koi bhi mere doston ke saamne 2 minute se zyada tik gaya tab bhi mai tum teeno ko chhod dunga...



meri baat sun jahan wo teeno DEVILS khush ho gaye wahin ANJALI ki tention aur badh gayi....wo kuch kehti isse pehle hi AVANTIKA ne uske kandhe par haath rakha aur...



AVANTIKA- bharosa rakh...tu itna toh jaanti hai naa ki V.J kuch bhi yunhi nahi kehta...so relax....

AVANTIKA ki baat aur uske aankhon me dikh rahe bharose ko dekh ANJALI chup zaroor ho gayi par tention uske chehre par ab bhi dikh raha tha....



mere dost jo meri baat sun andar hi andar behad khush ho rahe the,wo mere aage aa gaye...

wahin un teeno DEVILS ne bhi apne apne man me awahan kar ek ek jaaduyi astra apne haathon me prakat kar liya tha....

par isse pehle ki wo teeno DEVILS un astron ka prayog karte....



SHAKTI BANDHAM

POWER CONFINEMENT



BANDHAN NITAMAYATI

CONFINEMENT SUFFOCATION




pehle SPELL AKSHAANT,SHAILA aur MOKALSAR ne kaha tha ur dusra SPELL RONIT ne...

pehle SPELL ke prabhav me aate hi un teeno DEVILS ki body akadne lagi aur kuch hi palon me wo teeno ek jagah jad hokar reh gaye the..


wo teeno hil tak nahi paa rahe the...wahin RONIT ke dwara uccharit SPELL ke pravhav me aate hi wo bandhan jisme teeno DEVILS jakad chuke the,ab aur kasne lagi aur dekhte hi dekhte wo bandhan itne kasne lage ki....




AAHHHH........

AHHHHHH..........

AHHHHHHHHH............



in dard bhari karahon ke saath saath un teeno DEVILS ke sharir se unka kaaa khun bhi nikalne laga tha..

un teeno ki aankhon me dard aur avishwas ki rekhayen saaf dekhi jaa sakti thi...waise shocked toh un teeno DEVILS se kahin zyada ANJALI thi.....

usse yakin hi nahi ho raha tha ki RONIT ne aur uske baaki ke teen doston ne un teeno DEVILS ko hara diya tha aur wo bhi itne kam waqt me...

aur is shock me aur izafa hua jab....



RONIT-PRANGHAATH

KILL



RONIT ke dwara bole gaye is SPELL ke saath hi uske haathon se teen gaadhi white rays nikli aur sidhe jaakar un teeno DEVILS se takrayi aur aisa hone ke agle hi pal.....



AAHHHHH....AHHHHHH......AHHHHH..........



ek karn bhedi cheekh ke saath un teeno DEVILS ke sharir blast ho chuke the....

mere doston ke is parakram ko dekh jahan sabhi SAMAY SANCHALAK khush ho gaye the wahin is scene ko dekh ANJALI ka shocked hona toh banta tha naa....

jahan ek DEVILS se ladhna tak mushkil hota hai,wahan RONIT ne ek hi waar me teen teen DEVILS ko khatm kar diya tha....

wo fati aankhon se RONIT aur baaki teeno ko dekh rahi thi..wo waise hi khadi rehti par tabhi uske kandho par mera hath pada jisse wo hosh me aayi...



ANJALI- ye in chaaron ne kaise kya???aur RONIT.....tune toh ek hi waar me un teeno DEVILS ko maar diya..i mean howzz this even possible....

RONIT- every thing is possible baby.....in dedh salon me hum sabke saath sirf bura hi nahi hua hai,balki kuch acha hi hua hai..


jo tune abhi dekha,wo un acchi chizon me se ek tha.....



iske baad RONIT ne hamare MIRRORS WORLD ke adventure ke baare me bataya aur saath hi YELUPTUS me kaise un sabne apni shaktiyon ko control kiya,wo kissa bhi sunaya jisse sun ANJALI ki khushi ka thikana na raha.....



ANJALI-shit yaar,maine kya kya miss kar diya..



ANJALI ne is baat ko aisi funny tone me kahi ki hum sab has diye.....



MAI-ab chalen..waise bhi kaafi waqt guzar chuka hai....



meri baat par sabhi ne sehmati jatayi....

maine apne seene par ek baar firse haath rakha aur agle hi pal mere seene se hote hue meri SWORD baahar aa gayi....

meri SWORD ko dekh SAMAY SANCHALAKON ne apna apna sir ek baar firse jhuka liya tha...



ANJALI- yahi wo SWORD hai naa jisse tune MIRRORS WORLD se haasil kiya tha...



RONIT- haan yahi hai..aur issiki madad sei V.J ne DEVILS ke bandhan ko toda tha...par V.J,iski abhi kya zaroorat....

is world ke upar jo salakhen thi,usse toh tune tod diya tha naa...

MAI-toda nahi khola tha par humare andar aate hi wo firse pehli jaisi ho gayi hongi aur ab usse kholne ka bas ek hi tarika hai aur wo ye ki mai usse tod dun....



AISA KARNE KA SOCHNA BHI MAT........



abhi koi kuch kehta usse pehle hi pure SHADOW WORLD me ye awaaz gunj gayi jisse sun sab shocked ho gaye par sabse zyada shocked mai tha aur wo isiliye kyunki mai is aawaz ke maalik ko pehchanta tha....



MAI-ASMODEUS............



jahan mere mooh se ASMODEUS sun AVANTIKA,mere dost aur SAMAY SANCHALAK shocked hue wahin........




HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHA............




vatavaran me ASMODEUS ki hasi gunj uthi jisse sun hum sab har jagah dekhne lage par ASMODEUS kahin nazar nahi aaya..

baakiyon ko chhodo,mujhe tak wo dikha nahi.....

hum sab yahan wahan dekh hi rahe the ki tabhi....



ASMODEUS-mai wahan hun hi nahi toh dikhunga kaise???mai grah se baahar hun,bas meri awaaz is grah ke andar pahunchkar rahi hai...

waise bhi jis grah me tum sab ho,wo mera banaya gaya kaaragar hai,aur apne hi banaye kaaragar me mai kyun kaid rahun????

aur VIKRAM,tum bhi mujhe isiliye nahi dekh paa rahe ho kyunki maine is grah ko aisa banaya hai ki iske andar rehkar antariksh me nahi dekha jaa sakta.....

khair,mai kya keh raha tha???haan,VIKRAM mere BHAI,tum apni jis mahashaktishali SWORD ka istamal kar is grah roopi jail ko todne jaa rahe the,usse wapas apne andar sama lo....

kyunki agar tumne us SWORD ka prayog kiya,toh ye grah numa karagar toh zaroor tutega,par uske saath saath pura bramhaand bhi khatm ho jaayegaa......



ASMODEUS ki baat sun hum sab shocked ho gaye....



ASMODEUS-PARIVARTAK ko toh bhule nahi hoge...wahi PARIVARTAK jo un sab ki milkiyat hai jinhe is garh numa kaid se chhudaane tum yahan aaye ho...

wahi PARIVARTAK jisne tumhari aur tumhare chahne waalon ki zindagi ko pura ghuma diya tha,aur aaj fir se wahi hone waala hai....


maine ussi PARIVARTAK ki kirano se usse is grah aur is grah ke saath saath pure bramhaand ke har jeevendeyi grah se jod diya hai...

isiliye agar tumne is grah ko todne ki koshish ki,toh iske saath saath isse juda hua har grah nasht ho jaayega.....



ASMODEUS ki baat sun hum sabka dimag chakra gaya tha....

yahi haal SAMAY SANCHALAKON ka bhi tha....wo sab jaante the ki ASMODEUS ne jo bhi kaha hai,wo shat pratishat sach hai...

agar maine is grah numa karaagar ko toda,toh iske saath saath bramhaand ka har jeevendeyi grah khatm ho jaayega aur saath hi khatm ho jaayega un grahon me basne waala jeeven.....

mujhe dekh jo nayi ummid SAMAY SANCHALAKON ke man me jagi thi,wo firse dhumil hone lagi thi......



AVANTIKA- ab kya karenge V.J????is kaid se baahar kaise niklenge????

MAI- pata nahi AVANTIKA???aisa kuch bhi ho jayega,ye maine socha nahi tha....



HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHA.....



jaisi hi meri baat khatm huyi,ek baar firse har taraf ASMODEUS ki hasi gunj uthi....



ASMODEUS- VIKRAM....LORF OF ANGELS............kitne afsos ki baat hai ki itni shaktiyan itni durdarshita hone ke baawjud tum ek hi daav ko do do baar nahi samajh paaye...

issi daav se maine tumhe COURIOUS me bhi haraya tha aur aaj fir tum issi daav se haar gaye ho......



HAAR AUR JEET KA FAISLA TUMNE ITNI JALDI KAISE KAR LIYA.....?????



apni baat keh ASMODEUS ek baar firse hasne waala tha ki tabhi ek baar firse har taraf ek awaaz gunj uthi jisse sunkar ASMODEUS aur BEELZEBUB shocked ho gaye..

waise shocked toh mai,AVANTIKA,mere dost aur SAMAY SANCHALAK bhi hue the...

REASON.....jo awaaz abhi abhi gunji wo aur kisi ki nahi balki MERI thi......



AVANTIKA-V.J,ye toh tumhari awaaz hai naa???par ye toh is planet ke baahar se aa rahi hai???

RONIT- bhai ab ye kya maayajaal hai????

MAI- yaar mujhe khud nahi maalum ki kya ho raha hai???



yahan neeche sabhi shocked haalat me the aur wahin baahar ASMODEUS aur BEELZEBIUB ki bhi same condition thi...

sab apne apne soch me goom the ki tabhi.....

ASMODEUS se kuch door uske saamne ek dhuan uthne laga aur jaise jaise us dhuen ne roop lena shuru kiya,ASMODEUS aur BEELZEBUB ki aankhen badi hone lagi...

par iske saath saath ek aur cheez bhi hui thi....aur ye chiz SHADOW WORLD ke andar hui thi...aur wo ye thi ki jaise hi ASMODEUS ke saamne uthe dhuen ne roop lena shuru kiya,thik ussi waqt....



AVANTIKA-V.JJJJJ..........



AVANTIKA ki cheekh sun sabka dhyan uski taraf gaya aur wahan jo ho raha tha wo dekh,sabhi ki aakhen badi ho gayi....



toh hua ye ki jaise jaise ASMODEUS ke saamne uthe dhuen ne roop lena shuru kiya waise waise mera roop dhuen me badalne laga....

aur jaise hi ASMODEUS ke saamne uthte dhuen ka roop pura hua,mai dhuen me badal gayab ho chuka tha...

ye sab hota dekh AVANTIKA,SAMAY SANCHALAK aur mere dost hadh se zyada shocked ho gaye....

wahin SHADOW WORLD ke baahar jaise hi us dhuen ne pura roop liya,toh ASMODEUS aur BEELZEBUB ki bhi aankhen badi ho gayi..aur ussi shock me ASMODEUS ke mooh se nikla...



ASMODEUS-VIKRAM......TUM?????

ASMDODEUS ki baat sun mai muskura diya........



MAI-tumhe yun hairan pareshan dekh acha laga....



meri baat sunne ke baad bhi ASMODEUS ne kuch nahi kaha..wo bas mujhe dekhe hi jaa raha tha....uski aankhon me jigyasa saaf dikh rahi thi aur isiliye.....



MAI-tumne tumhara purana daav ek baar firse mujhpar chalane ki sochi toh maine bhi tumhara hi daav tum par aazmaane ki sochi...

nahi samjhe....tumhara wahi daav jisse istemaal kar tumne mujhe ISLA me haraya tha...



BHRAM MAAYA.....ek adbhudh maaya....ek aisa SPELL jisse khudke ek aise CLONE ko banaya jaata hai jisse khud bhi nahi pata hota ki wo ek CLONE hai...
(UPDATE-89)



us CLONE ke andar apne asli roop ke saare talent,saari yaadein,matlab sab kuch hota hai.....

ek aisa SPELL jiske baare me is bramhaand me sirf tum jaante the...



the,ho nahi....tumhare saath saath ab mai bhi iske baare me naa sirf jaanta hun,balki tum dekh hi chuke ho ki is SPELL ka safalta purvak istemaal bhi kar sakta hun....

par BHAI hun tumhara,wo bhi chota..aur chote bhai ka toh bade bhai ki cheezon par hak hota hi hai..kyun????



ASMODEUS jiski aankhon me ab bhi hairat tair rahi thi,meri baat khatm hote hi...



ASMODEUS- kaise?????



ASMODEUS ke sawal par mai firse muskura diya...



MAI-iska shray bhi tumhe hi jaata hai...jis khoon ki madad se tumne mujhse mere astitv ko cheena tha,theek hone ke baad maine bhi usse upyog me liya...

Maine tumhare khoon ke ek boond ko apne andar hi rehna diya aur usse lekar ek aisi jagah gaya ( TWISTED DIMENSION )jahan bina dar ke us khoon me chupi tumhari shakti ko baahar nikalkar usse jaanch sakun...

(yahi wo dusra reason tha doston jiski wajah se VIKRAM aur AVANTIKA TWISTED DIMENSION gaye the )



waise toh us jaanch ka mukhya uddeshya ANJALI ke baare me pata lagana tha par usse pehle mere haath tumhari ye chamatkarik shakti lag gayi....

aur thik tabhi mere dimag me ek yojna ubhri..maine socha ki tumhari hi tarah kyun naa har cheez parde ke piche se dekh kar uska aakalan kiya jaaye....

issi soch ke saath maine apni yojna ko ya fir ye kahun ki khudko ek naya roop diya...



BHRAM MAAYA ka istamal kar maine apni ek nakal banayi...



jo VIKRAM MONSLICKEL gaya tha,aur jisse gale lagakar tumne uske andar SHADOW WORLD ki jhalkiyan daali thu,wo nakli tha..

par kyunki BHRAM MAAYA ki wajah se mere nakal tak ko ye maalum nahi tha ki wo asli nahi hai,toh tumhe kahan se pata chalta....???

par in sab ko dekh kar mai samajh gaya tha ki tum kisi naye firak me ho .fir maine socha ki jab mere BHAI ne itni mehnat ki hai toh kyun naa usse uske saare prapanchon ko pura kar lene dun,uske baad uske saamne aaun....!!!!

aur lo,tumhare shadyantra ke pura hota hi mai tumhare saamne hun.....



meri saari baat aur planning sun ASMODEUS ko zara sa bhi ghussa nahi aaya ulta uske aankhon me prashansha ke bhaav aa gaye the...

shayad yahi wajah thi ki ASMODEUS jo tha wo tha....usse samajhna is bramhaand ki sabse badi paheli thi....



wahin meri kahi har baat sirf ASMODEUS aur BEELZEBUB hi nahi sun rahe the,balki SHADOW WORLD me khade AVANTIKA,SAMAY SANCHALAK aur mere saare dost bhi sun rahe the....

aur wo sab bhi meri baat aur planning sun khushi se jhum uthe the...SAMAY SANCHALAKON ki jo ummid tootne lagi thi,wo firse jaag chuki thi....

wo unhe koi dar nahi tha..wo jaante the ki unka vanvaas khatm ho chuka hai...



ASMODEUS- jaise har galti ki saza hoti hai,waise hi har jeet ka inaam bhi milta hai...



aaj tum jeete ho,isiliye inaam toh banta hai....ye bol ASMODEUS ne PARIVARTAK mere saamne kar diya...

maine bhi muskurate hue PARIVARTAKko uske haathon se le liya...

mai jaanta tha ki ASMODEUS ne us chiz ko jisse paane ke liye usne kitni mehnat ki thi,mujhe yunhi kyun soumpa tha...!!!

ASMODEUS ko pata tha ki ab uske paas PARIVARTAK ke rehne ka koi matlab nahi hone waala..kyunki ab wo SAMAY SANCHALAKON ko kaid me nahi rakh sakta...

aur ek baar SAMAY SANCHALAK azaad hokar apne grah lout gaye,toh PARIVARTAK bhi apne aap hi unke paas chala jaayega..

aur isiliye hi ASMODEUS ne mujhe pehle se PARIVARTAK thama diya tha...

PARIVARTAK dene ke baad ASMODEUS ne mujhe ek pal ke liye dekha,aur fir BEELZEBUB ko lekar gaayab ho gaya....

ek lambi saans chhodte hue maine PARIVARTAK ke beech ke bhaag ko ek baar firse dabaya...

aisa karte hi jo rays usse nikalkar dusre sabhi grahon se jude hue the,wo wapas PARIVARTAK ke andar sama gaye....

is kaam ko khatm kar maine ek baar firse apne haath aage kiya aur agle hi pal mere haath ke upar CURIOUS TREE ke branches ka powder aa chuka tha...

powder ke haath me aate hi maine ek fook maari jisse ek baar firse us powder ne pure SHADOW WORLD ko ghera aur uske salakhon ko chhute hi wo jaaduyi salakhen gaayab ho gayi...

aur agle hi pal...



SHADOW WORLD me jitne bhi log the,wo hawa me uthne lage ya fir ye kahun ki maine un sabko hawa me utha liya tha...

hawa me tezi se upar uthte hue wo sab kuch hi lamho me SHADOW WORLD ke baahar nikal chuke the aur dekhte hi dekhte wo sab mere saamne aakar ruke...

mere paas aate hi AVANTIKA ne jhat se mujhe gale laga liya....



AVANTIKA ke baad mai baaki sabse gale mila..SAMAY SANCHALAKON ne apne apne sir jhukaakar mujhe thanks kaha....



RONIT- yahan ka saara kaam khatm hua..ab chalen...???!!!!!

MAI- ek kaam baaki hai...



apni baat keh maine apne SWORD ka awahan kiya..aur jaise hi meri SWORD mere haath me aayi,toh maine apni SWORD ko SHADOW WORLD ki taraf fekh diya aur agle hi pal....

meri SWORD tezi se aage badhi aur dekhte hi dekhte usne SHADOW WORLD ko beech se aise kaat diya maano wo koi planet naa hokar cake ho....

do faal me baththe hi SHADOW WORLD ke dono hisso me dhamake hue aur agle hi pal SHADOW WORLD ka pura astitv hi khatm ho chuka tha....

apna kaam khatm kar meri SWORD wapas mere andar sama gayi....



MAI- ab yahan ka kaam khatm hua....



meri baat par koi pratikriya deta,usse pehle hi mere body se ek roshni nikal sab par padi aur agle hi pal hum sab gayab ho chuke the.....







PLANET-YELEPTUS





PLACE-STORMY DESERT





LIJIYE,AAP APNE GHAR PAHUNCH GAYE....



YELEPTUS me prakat hote hi maine SAMAY SANCHALAKON se ye baat kahi jisse sun wo sab khush bhi hue aur dukhi bhi...



khush apne grah me wapas aakar aur dukhi yahan ke haalat ke dekhkar...jo pehle ek sundar sa grah tha wo ab puri tarah se banzar ho chuka tha....

maine un sabki bhaavnaao se achi tarah waakif tha isiliye.....



MAI- udaas mat rahiye..sab pehle jaisa ho jaayega..par pehle aap sab apne apne sharir me wapas loutiye...



ANJU.....TERI BODY BHI YAHIN DAFAN HAI.........



meri baat sun ANJALI aur mere saare dost shocked ho gaye...wahin AVANTIKA normal hi rahi...



reason..aapko yaad hoga doston ki ISLA me baithkar baat karte waqt maine AVANTIKA se kuch kaha tha jisse sun wo shocked ho gayi thi...

wo yahi baat thi......



RONIT- kya bol raha hai yaar??ANJU ki body yahan hai???

MAI- haan..SAMAY SANCHALAKON ki body se nikalne waali WHITE ENERGY ki wajah se AVANTIKA ki body bhi pehle jaisi hi hai....

ASMODEUS jaanta tha ki yahi ek jagah hai jahan ANJALI ki body ko rakhne se uski aatma SHADOW WORLD me kaid rahegi...

kyunki aur koi bhi jagah par kisi bhi energy ki force ke hone ke baawajud ANJALI ki aatma uski body tak pahunch sakti hai par is is jagah par nahi...

kyunki ek yahi jagah aisi hai jo do hisso me bati hui hai...ek hissa toh yahi hai aur dusra SAMAY SANCHALAKON ki aatma ki wajah se SHADOW WORLD ban chuka tha...

aur MONSLICKEL chhodkar SHADOW WORLD hi hai jo khud ASMODEUS ne banaya hai...

MONSLICKEL me wo ANJALI ki paak saaf rooh ko rakh nahi sakta isiliye usne SHADOW WORLD ko is kaam ke liye chuna...

aur wo aatma shaant rahe isiliye ANJALI ki body ko usne yahan dafan kiya tha....

RONIT-bhai ab kya bolun???tu aur tera wo ajeebo garib bhai kya kya karte rehte ho,ye tum dono hi jaano...mujhe toh bas itna bata ki ab kya karen???

MAI- tujhe kuch nahi karna hai....jo karna hai kaine already kar diya hai...

RONIT- matlab???



maine kuch kaha nahi bas chup chaap khada raha aur isse pehle ki koi kuch kehta,zamin hilne lagi aur dekhte hi dekhte SAMAY SANCHALAKON ki bodies zameen se baahar aane lagi.....

maine apne doston ko ek taraf ishara kiya..aur jab mere ishare kiye hue jagah par mere doston ki aur khaaskar ke ANJALI aur RONIT ki nazar gayi toh wo khushi se ucchal pade...



reason......SAMAY SANCHALAKON ki bodies ke beech ek body hamari ANJALI ki bhi thi...

naahi SAMAY SANCHALAKON ki bodies me koi badlaav aaya tha aur naahi ANJALI ke body par..unhe dekhkar aisa lag raha tha maano wo sab bas soye hue hain....



reason....un sab bodies ke upar WHITE ENERGY ki ek chaadar si bichi hui thi jiski wajah se wo sab ab bhi pure fresh lag rahe the....



apni apni body ko dekh saare SAMAY SANCHALAK khushi khushi uski taraf badh gaye...

maine ANJALI ko bhi apni body ke paas jaane ko kaha..

RONIT ke saath saath wo bhi apni body ke paas chali gayi aur agle hi pal.....

saari aatmayen including ANJALI apne apne sharir me enter kar gayi aur aisa hote hi...

saari bodies ko ek jhatka sa laga aur agle hi pal un sabki aankhen khul gayi aur sab ek jhatke me uth kar khade ho chuke...

hosh me aate hi sabhi SANCHALAK aur ANJALI apni apni body ko chu chu kar khudko yakin dilane lage ki wo sab thik ho gaye hain...

RONIT ki aankhen ek baar firse bheeg gayi thi...wo ek tak ANJALI ke khubsoorat chehre ko dekhe jaa raha tha...

khudko kuch der tak feel karne ke baad jab ANJALI ki nazar RONIT ke chehre par padi toh wo jhat se aage badhi aur uske gale lag gayi.....

wahin theek hone ke baad sabhi SAMAY SANCHALAK mere aage haath jodkar khade ho gaye...



MAI- maine pehle bhi kaha tha ki ye sab karne ki koi zaroorat nahi....aur haan,ye rakhiye...



ye bol maine apna haath aage kiya jispar is waqt un sab ki dharohar PARIVARTAK rakha hua tha..

sadiyon baad apni chez ko dekh sabhi SANCHALAK bohot khush ho gaye....

mere haath se apni chez lekar wo ek baar firse mujhe dhanyawaad karne lage...

maine muskurate hue apna haath har taraf ghumaya aur agle hi pal pure YELEPTUS ka nazara badalne laga...

pura grah jo banzar ho chuka tha,wo ek baar firse pehle ki hi tarah khubsoorat ho chuka tha.....mausam ke tapan kam ho chuki thi aur uski jagah halki halki thand ne le li thi....

ye sab dekh wo saare aur khush ho gaye...

yahan itna kuch ho chuka tha aur wahan hamare RONIT bhaisahab aur ANJALI madam ek dusre me hi lage hue the aur isiliye....



MAI-ab bas bhi karo yaar.....



maine ye baat thoda zor se kahi thi jisse sun ANJALI aur RONIT hadbadate hue alaga hue jise dekh hum sab has diye...



RONIT- kya hai be...thik se gale toh lagne de...

MAI-apni bakwas band kar..ek aakhri kaam baaki hai,pehle wo kar len....

RONIT- saale tere kaam kabhi khatm honge bhi ya nahi...????

MAI- kaam zaroor hai par mera nahi,ANJALI ka...



meri baat sun ANJALI aur RONIT chownke...



DONO- matlab???

MAI- matlab jaanane se pehle do adhuri baat puri kar lete hain...



pehli.....yaad hai kuch der pehle SHADOW WORLD me tune mujhe i mean meri nakal ko bataya tha ki tune ek baar firse RONIT se judne ki koshish ki thi par firse fail ho gayi thi..

jispar mere nakal ne tujhe bataya tha ki tu fail toh hui thi par puri tarah nahi...

ANJALI- arre haan,ye mai kaise bhul gayi???uska matlab kya tha??

MAI- uska matlab ye tha ki dusri baar try karne par teri aantarik shakti toh RONIT tak nahi pahunch paayi par us shakti ki wajah se tere dimag ka ek hissa RONIT ke dimag me zaroor fit ho gaya tha....

RONIT,MIRRORS WORLD me tu baaki teeno se dimag ke maamle me isiiliye aage tha kyunki tere dimag me teri soch ke saath saath ANJALI ki soch aur dimag bhi juda hua tha...

tu ek hokar bhi do tha aur isiliye tu kisi bhi chunouti ko in teeno se behtar samajh paa raha tha....



mere is khulase se RONIT,ANJALI,MOKALSAR,AKSHAANT aur SHAILA bhi shocked ho gaye the....



MAI- zyada shocked mat ho..abhi ek aur jhatka lagna baaki hai...

SHAILA- ab aur kya baaki reh gaya...???

MAI-dusri adhuri baat....RONIT yaad hai jab tum sabki shaktiyan tum sabke control me aa chuki thi,us waqt bas tujhe hi thoda bhaari bhaari lag raha tha...

RONIT- haan par tune kaha tha ki kuch der me thik ho jaayega...

MAI- toh kya thik hua???

RONIT- nahi.ab bhi mujhe bhaari bhaari lag raha hai....

MAI-WO ISILIYE KYUNKI TERE ANDAR EXTRA SHAKTIYAN HAIN,AUR WO EXTRA SHAKTIYAN ANJALI KI HAI.......



ab ye ek naya aur bohot bada bomb tha jo mere doston aur khaas karke RONIT aur ANJALI ke upar gira tha..wo mooh faade meri taraf dekhne lage...



MAI- ghuro mat.sab batata hun...darasal baat ye hai ki MIRRORS WORLD ki chunoutiyon ke douran bhale tu ye nahi jaanta tha ki tere har jawab aur pratispradha me tere saath saath ANJALI ka dimag juda hua hai,par THE THREE MIRRORS ye baat ache se jaante the...

aur isiliye jab tum sab ne apni saari chunoutiyan safaltapurvak puri ki,toh tumhare saath saath ANJALI bhi MIRORS WORLD ki chunoutiyon ki vijeta ban gayi thi...

aur jab MIIRORS ne tum sabko shaktiyan din,toh RONIT tere andar MIRRORS ne ANJALI ke hisse ki shaktiyan bhi de din...

par kyunki tum sabhi ki shaktiyan us waqt unstable thi aur maine un shaktiyon ko baandh diya tha,isiliye tujhe koi fark nahi pada par jaise hi tune apni shaktiyon ko control kiya,to ANJALI ki shaktiyan bhi tere control me aa gayi par kyunki ye teri nahi hain,isiliye tujhe apne andar extra bhaar lag raha hai.....



meri dono adhuri baat puri ho chuki thi par mere doston ke mooh aur zyada khul chuke the....



MAI- mooh band karo be..



meri baat sun un sabne hadbadate hue apne apne mooh band kar liye...



MAI- ab suno wo kaam jo bacha hua hai...

MAI-ANJU,RONIT ke andar jo extra shaktiyan hain wo teri hai aur mai unhe RONIT se nikalkar tujhe de dunga par....

in chaaron ki hi tarah tujhe khudhi un shaktiyon ko control karna sikhna hoga...theek hai....

ANJALI ne kuch kaha nahi bas wo doudkar aayi aur aakar mere gale lag gayi....



ANJALI dheere se-tu bhale hi mat bata par mai jaanti hun ki RONIT ke paas jo mere dimag ka ansh chhuta tha,uske piche bhi tera haath hai..

tu jaanta tha ki ek din aisa aayega jab ye sab apni shaktiyan badhane ke liye MIRRORS WORLD jaayenge aur tu chahta tha ki inke saath saath mujhe bhi wo shakytiyan mile....

MAI- dekha,isiliye hi maine tere dimag ka hissa is duffer ke andar chhoda tha...tere bina ye sab jeet nahi paate.....

RONIT-ye kya khusur fusur kar rahe ho tum dono...

MAI- ANJU propose kar rahi hai mujhe..bol rahi hai ki tu mera b.f banja...

RONIT-saale kamine,abhi abhi G.F mili hai aur tu usse mujhse chinane me lag gaya...

MAI-jo apna ho,usse kya chhinana....!!!

RONIT- bhaag be....

MAI- bhaagunga,par ANJU ko saath lekar...



RONIT- bas kar mere baap..mai haar gaya...

RONIT ne haath jod ye baat kahi thi jisse dekh hum sab has diye....

MAI-toh ANJU...tu ready hai apni shaktiyon ko control karna sikhne ke liye...



ANJALI ne haan me apni gardan hilayi....

MAI- kya mai is kaam ko yahan kar sakta hun??



maine SAMAY SANCHALAKON se nivedaan kiya jisse un wo sab ek baar firse apne apne haath jod khade ho gaye....



1st SANCHALAK-aisa bol hume lajjit naa karen LORD...ye pura grah aapka hai..aapka jo dil chaahe wo kijiye....



unki baat sun mai muskuraya aur agle hi pal........

mera haath aage ho chuka tha jisse ek white ray nikal RONIT par padi aur tabhi....

RONIT ke body ke andar jo ANJALI ki shaktiyan thi,wo baahar aa gayi aur agle hi pal wo shaktiyan ANJALI ke andar sama chuki thi.....






PLANET- MONSLICKEL





PLACE-ASMODEUS PLANET





JO KAHA HAI,WO THIK SE SAMAJH AAYA.....



ASMODEUS ki baat par BEELZEBUB ne haan me apna sir hilaya...



ASMODEUS- jaa sakte ho....



ASMODEUS ke bolne ke agle hi pal BEELZEBUB ne apna sir jhukaya aur gaayab ho gaya....

BEELZEBUB ke gaayab hote hi ASMODEUS dhyan aasan me baith gaya...

dhyan me baith jaise hi ASMODEUS ki aankhen band hui,toh uske seene ke beech roshni dikhne lagi aur us roshni ke beech se DO RAYS BAAHAR aaye.....

baahar aate hi wo RAYS ek taraf badh gaye..

wahin gayab hokar BEELZEBUB bramhaand ke ek dusre kone me pahuncha aur agle hi pal thik ASMODEUS ki hi tarah uske andar se bhi ek ray nikli jisse lekar BEELZEBUB aage badh gaya....

ASMODEUS ki ray aage badhte hue apni manzil par pahunchi aur gayab ho gayi.......

thik tabhi BEELZEBUB ne bhi apni ray ko uski manzil tak pahuncha diya jahan pahunch wo ray bhi gayab ho gayi.....




ASMODEUS-ANTIM PADHAAV AARAMBH HUA............

 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM ANJALI KE ZINDA HONE KA RAAZ SAARE DOSTON KO BATATA HAI AUR SAATH HI ASMODEUS KE PLAN KO FAIL KAR APNE DOSTON KE SAATH SAATH SAMAY SANCHALAKON KO LEKAR UNKE GRAH YELUPTUS PAHUNCH JAATA HAI JAHAN PAHUNCH WO EK AUR NAYA KHULASA KARTA HAI JISME WO SABKO BATATA HAI KI ANJALI BHI BAAKI CHAARON KI HI TARAH MIRRORS WORLD ME MILE CHUNOUTIYON KI EK VIJETA HAI AUR AB USSE BHI BAAKIYON KI TARAH APNI SHAKTIYON PAR KAABU PAANA SIKHNA HAI
AB AAGE:-






FINAL CHAPTER





(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)




UPDATE-112





PLANET-YELUPTUS




PLACE-OPEN GARDEN






ARRE WAAH,MERI BODY TOH LIGHT HO GAYI...ISKA MATLAB....ANJU...TAIYAR HOJAA.......AB TUJHE BHI WAHI FEEL HONE WAALA HAI JO HUME HUA THA....



jaise hi maine ANJALI ki shaktiyan RONIT se nikal ANJALI ke body ke andar daali,toh RONIT ne apni baat kahi jiska matlab ANJALI ko samajh me nahi aaya...

par isse pehle ki wo RONIT se kuch puchti.....



ANJALI- arre,ye mere body ko kya ho raha hai???ye achanak bhaari kyun hone lagi hai????



shaktiyon ke sharir me samane ke kuch pal baad dheere dheere uski body bhaari hone lagi jis wajah se ANJALI ne ye baat puchi....

wahin ANJALI ki baat sunkar mere sabhi dost has diye....



RONIT-issi feeling ke baare me toh mai abhi baat kar raha tha...

jo shaktiyan tere andar gayi hain,wo filhal unstable hain aur issi wajah se teri body bhaari ho rahi hai...

dheere dheere ye bhaar aur badhega isiliye turant dhyan me baith aur apni aantarik shakti ko apne dimag se connect karne ki koshish kar....



MOKALSAR- aur waise bhi itni sundar jagah me tujhe dhyan lagane me aasani hogi...



hum jab yahan dhyan lagane baithe the,tab ye jagah nirjeev thi par ab dekho...yahan ka drishya kitna manmohak ho chuka hai....



MOKALSAR ki baat sahi thi...jo PLANET pehle puri tarah banzar tha,ab wo hara bhara tha aur is waqt hum jis jagah par the wo pehle ek stormy desert tha par ab ye ek dile sukoon garden me badal gaya tha...

aisi jagah dhyan lagane ke liye perfect hoti hai....

jahan sabhi is jagah ko khubsoorti ko niharne me lag gaye the,wahin ANJALI ke body ka bhaar lagatar badhne laga tha aur isiliye time waste naa karte hue ANJALI jahan khadi thi wahin turant DHYAN awashta me baith chuki thi....



RONIT- kya lagta hai????ANJU ko kitna time lagega???

SHAILA-kya pata???shayad humare jitna hi lage....

MAI-nahi...wo jaldi hi apni shaktiyon ko control kar legi..uski aantarik shakti tum sabse zyada tez hai..



tabhi toh wo SHADOW WORLD jaise jail ke bandhan se baahar nikal hamare PLANET tak pahunchne me successfull hui thi...


RONIT- arre haan yaar....ye baat toh adhuri hi reh gayi....tune ANJU ke gaayab hone se lekar uske milne tak ke baare me sab kuch bataya par ye nahi bataya ki ANJU ne kaise apni aantarik shakti ko itna mazboot bana liya tha ki wo ek PLANET se dusre PLANET tak pahunch gayi....

jahan tak mujhe yaad hai tune hum sabko iski training nahi di thi....

MAI- training toh maine ANJU ko bhi nahi di thi,bas hidayat di thi jisse usne pure dil se maani aur kaamiyab bhi hui....

RONIT-hidayat thi thi!!!!par kab????

MAI-jab mai ISLA gaya tha.....



meri baat sun RONIT chownka....



RONIT- matlab!!!!

MAI-Ye toh tum sabko pata hi hai ki COURIOUS jaane ka raasta mujhe ISLA me hi mila tha...

us waqt mai ye toh nahi jaanta tha wahan mere saath kya hone waala hai par itna mujhe zaroor andaza ho gaya tha ki jis grah ko itne sadiyon se ASMODEUS chhupata hua aaya hai,usse yun open hota dekh wo kuch na kuch toh karega zaroor...

par kya aur kaise ye ek paheli thi...

aur is pahei ko sirf waqt hi suljha sakta tha...mere paas bas khudko mazboot aur taiyar rakhne ke siwa aur koi chara nahi tha....

aur tabhi mere dimag me ek baat click huyi aur wo ye ki sharirik shakti aur bal se ASMODEUS mere doston ko bhale hi nuksaan pahuncha de par agar mai maansik tour par tum sabko sashakt banaun toh problem kitni bhi badi ho,tum sab kisi na kisi tarah usse baahar aa jaaoge....

isiliye pehle maine AKSHAANT,MOKALSAR aur SHAILA ke mansik tarango ko ek dusre ke saath jod diya taaki agar koi ek bhi mushkil me fase toh baaki dono usse bachane aa jaayen...

wahin COURIOUS jaane se pehle mai ek baar dhyan me baitha tha...(update 89)

Mai jaanta tha ANJALI ki dhairya shakti tum sabse zyada hai aur aantarik shakti ko control karne me nipun hone ke liye ye quality anivaarya hai...

isiliye dhyan me baithte hi ANJALI se jud maine usse uski aantarik shakti par kaam karne ke liye kaha tha....

ye maine tum dono ke liye kiya tha...tum dono ko khudse jodne ki wajah se tum me se koi mar nahi sakta tha par mai ye bhi jaanta tha ki ASMODEUS ke paas tum dono ko maut si taklif dene ke aur bhi tarike honge...

mai jaanta tha ki agar ANJALI apni aantarik shakti ko kaabu paana sikh le toh wo khudko aur tujhe har yaatna har atyachaar ko sehna sikha degi....

mere COURIOUS jaane ke baad ANJALI ne lagatar apni aantarik shakti par kaam kiya aur aakhir kaar usne uspar kaabu paa hi liya jis wajah se wo mujhtak pahunchane me kaamiyab hi thi....

RONIT- ohh..par usne toh is baare me mujhe kuch bhi nahi bataya tha.....

MAI-usne tujhe batane ki sochi thi par fir usne socha ki jab wo apni aantarik shakti par kaabu paane me kaamiyab ho jaayegi,tab tujhe batayegi....

aur jab tak wo kaamiyab hui,tab tak haalaat badal ya fir ye kahun ki bigad chuke the..tujhe aur tere saath saath ANJALI ko bhi mere CLONES ke negetive hone ka ehsaas ho gaya tha...

aur fir uske baad kya hua ye toh tu jaanta hi hai....usse is baare me batane ka mouka hi nahi mila......

SHAILA- VIKRAM sahi hai,ANJALI ki aantarik shakti hum sab se wakayi zyada sashakt hai...

dekho naa,itni der ho gayi,par ANJALI ka dhyan ab tak nahi toota hai....



SHAILA ki baat sun baaki sab ka bhi dhyaan ANJALI par gaya jo is waqt araam se dhyan me baithi thi....



RONIT- ye muskura kyun rahi hai...



dhyan me baithi ANJALI ke chehre par achanak ubhri muskaan ko dekh RONIT ne sawal kiya.....



MAI- is waqt ANJU ki aantarik shakti bhi us jagah ki sarhad par pahunch chuki hai,jahan kuch din pehle tum chaaron ki aantarik shakti pahunchi thi...

jahan pahunchne ke baad tum sab ki shaktiyan tumhare adhin hui thi...

SAB-SWARG.......!!!!!!



meri baat aur us baat me batayi hui jagah ke baare me sunte hi un chaaron ke mooh se ye shabd apne aap nikla.....



MAI- haan.....

jahan mere mooh se haan sunkar mere bdost khush ho gaye the wahin ab tak hum sabki baaton ko chup chaap sun rahe SAMAY SANCHALAKON ke dil jigyasa se bhar gaye the...

reason....unse hi sun lijiye....



1ST SANCHALAK-LORD,ASMODEUS ke kaid me fasne se pehle PARIVARTAK ke maadhyam se hum har waqt ANGELS se jude hue hote the...

aur ANGELS ke zariye HEAVEN se..sadiyan beet gayi,humare aankhon ko HEAVEN ki manmohak sundarta ko dekhe hue....

aap sabke jaane ke pashchat jab hum sab ek baar firse apne kartavya ka punah nirwah aarambh karenge,tab toh hum firse ANGELS se jud unke maadhyam se HEAVEN ko ek baar firse dekhenge hi,kintu.....

MAI- mere mooh se HEAVEN sun aap sabke man me HEAVEN ko abhi dekhne ki tivr iccha jaagrit ho gayi hai...



maine SAMAY SANCHALAK ki baat ko pura kiya jisse sun usne aur baaki sabhi SANCHALAKON ne firse apne haath jod liye...



2ND SAMAY SANCHALAK- aapse kya chhupa hai LORD????



maine kuch kaha nahi par agle hi pal.....

mere sir ke upar hawa me ek chalchitra chalne laga.....

ye chalchitra aur kuch nahi wahi scene tha jo is waqt ANJALI ki aantarik shakti ke saamne chal raha tha...

scene ke saamne aate hi SAMAY SANCHALAKON aur unke saath saath mere doston ki aankhen bhi chamak uthi...

REASON....ab agar sakshaat HEAVEN ka drishya aakhon ke saamne chalne lage,toh un aankhon me chamak ka aana toh laazmi hai...

aur in sab chamakti aankhon me sabse zyada chamak RONIT ke aankhon me thi....

aur wo isiliye kyunki baaki sab toh sirf ek jannat ko dekh rahe the,par RONIT ke saamne do do jannat thi..

ek GOD ki banayi jannat aur dusra uska personal swarg....ANJALI.....jo is waqt HEAVEN ke gate se andar hoti hui wahan ke adhbhudh nazaron ka aanand lete hue aage badh rahi thi....

ek aur baat thi jo bohot achi thi aur wo thi RONIT,AKSHAANT,SHAILA,aur MOKALSAR ke man ki bhaavna...

ek hi attempt me ANJALI ne apni aantarik shakti ko uski manzil tak pahuncha diya tha aur wo bhi bohot kam waqt istemaal karte hue.....

jabki mere baaki doston ko kuch zyada hi mehnat karni padi thi is mukaam tak pahunchne ke liye....

par iske baawajud in chaaron ke man me thodi si bhi jalan ya fir inferiority complex ne janm nahi liya tha aur ye bhavna rakhna sach me sarahaniya hai....

khair,jaisa ki mere saamne khade chaaron doston ke saath hua tha,thik waisa hi ANJALI ke saath bhi hua par isse pehle ki ANJALI ki aantarik drishti mere saamne aati,maine chalchitra band kar diya...

mere aisa karne se mere dost mujhe dekhne lage....



RONIT- kya hua??main scene toh reh hi gaya jisme tu ANJU ki shaktiyon ko uske niyantran me rehne ka aadesh dega....

MAI-ab mai jab khud yahan moujud hun toh kisi picture me ye sab kyun dekhna???



ye bol maine apna haath aage kiya aur mere aisa karte hi mere haath se ek white ray nikli jo sidhe jaakar ANJALI ke sharir se takrayi aur agle hi pal......

ANJALI ke sharir ko ek tez jhatka laga aur uska sharir hawa me uth gaya....

hawa me uthte hi uske sharir par ANGELS ke kapde aa chuke the....

kuch der tak chamakte roshniyon ke beech ANJALI ki body yunhi hawa me uthi rahi aur fir jaisa jaise roshni kam hone lagi,ANJALI ki body bhi neeche aane lagi aur kuch hi palon ke baad wo wapas hum sabke saamne khadi thi...

in sab kriyaaon ke dauran ANJALI ki aankhen ab bhi band hi thi....

zamin par aate hi uske body par jo ANGELS ka libas tha wo gayab ho gaya ya fir ye kahun ki uske sharir me sama gaya aur aisa hote hi ANJALI ki aankhen khul gayi....

ab ANJALI ko bhi apni body me waisi hi aseem shaktiyon ka abhaas ho raha tha,jaisa mere baaki ke chaaron dost lagatar feel karte the....



RONIT-ab tu bhi humme se ek hai ANJU.....



RONIT ki awaaz ke kaan me gunjte hi ANJALI jaise hosh me aayi...

wo jhat se aage badhi aur RONIT ke gale lag gayi...

kuch der tak RONIT ki baahon me rehne ke baad ANJU ne baaki sabko bhi ek ek hug diya aur aakhir me wo mere saamne aakar khadi ho gayi....



ANJALI-waise toh tu mere aur RONIT ke liye hamesha se hi kuch na kuch karta aaya hai...

hamari dhaal banta aaya hai jiske badle me tune hume thanks tak kehne nahi diya....

teri tarah har kisika dimag toh nahi padh sakti par itna toh jaanti hun ki ab bhi tu mujhe shukriya ada karne nahi dega....

aur shayad ye 6 letters ka word kabhi kaafi bhi nahi hoga tujhe kehne ke liye....aur mai is laayak bhi nahi ki tujhe kuch de paaun par phir bhi,zindagi me agar aisa koi mod aaye jab mai tere liye kuch kar sakun toh ye mere liye ek blessing jaisa hoga....

mai RONIT se beintahan pyaar karti hun..uske saath hasna chahti hun,rona chahti hun ya fir ye kahun ki jeena chahti hun par tu wo hai jiske liye mai haste haste mar sakti hun V.J.....

RONIT/AKSHAANT/MOKALSAR/SHAILA-mai nahi hum....hum sab mar sakte hain....

MAI-mujhe pata hai par keemat maut ki nahi zindagi ki hoti hai isiliye jiyo aur aisa jiyo ki dusro ke jeene ki wajah ban jaao...

itna karo aur jo tumhe lagta hai naa ki maine tum logon ke liye bohot kuch kiya hai,wo saara hisaab clear ho jaayega....

PANNCHJON- aisa hi hoga......

MAI-hmm.....ab mudde ki baat,pehle jo shaktiyan tum sabke paas thi,unki ek seema thi par ab jo shaktiyan tum sabke paas hai unki koi seema nahi hai....

jitna dhyan tum laagaoge aur apni shaktiyon ko mehsoos karoge,ye utni badhengi....

paanchon ne meri baat ko samajhne ke andaz se apna apna sir hilaya par tabhi....


RONIT- oh teri.......



jahan RONIT ki baat sun mai muskura diya wahin baaki sab apni apni aakhon me sawal liye uski taraf dekhne lage....



RONIT- yaar purane saare sawalon ke toh jawab mil gaye par ab jo naya sawal hum sabke sir par baitha hua hai,uska kya karenge???



jahan ek taraf AVANTIKA aur mere baaki doston ko ab bhi RONIT ii baat ya fir ye kahun ki uska sawal samajh me nahi aaya tha wahin SAMAY SANCHALAKON ko toh jaise in sabse koi matlab hi nahi tha..

wo sab toh ab bhi mujhe apne saamne dekh khush hue jaa rahe the....

khair,kyunki RONIT ke sawal ka matlab kisiko bhi samajh me nahi aaya tha isiliye....



ANJALI-tu kya bol raha hai,humme se kisiko bhi samajhme nahi aa raha hai???

RONIT-arre naya sawal in the sense ki ab hum ghar me tere baare me kya aur kaise batayenge????

kaise batayenge ki tu zinda kaise hai???aur agar zinda hai toh ab tak kahan thi and most importantly,tu samajhkar jisse jala diya gaya tha,wo kaun thi????

ab ghar waalon ko toh apne supernatural kisso ki haqiqat nahi bata sakte naa????



RONIT ka pucha sawal ek dum valid aur solid tha par.....



AVANTIKA- kya RONIT!!!!jab V.J ne itni saari baaton ke baare me najaane kab se soch liya tha toh kya is baare me usne kuch nahi socha hoga????



AVANTIKA jo ab tak chup chaap sabki baatein sun rahi thi,usne RONIT ke sawal par apni baat kahi....



RONIT-yaar,ye toh mai bhi jaanta hun ki iske dimag me kuch na kuch solution pak hi gaya hoga..

Mai toh bas aane waale situiation ke baare me bata raha tha....yaar bata naa,ANJALI ko ghar waalon ke saamne kaise lekar jaayenge....????

MAI- tum sabke puche gaye har sawal ka jawab maine diya hai,iska bhi dunga par pehle us sawal ka jawab toh se dun jo ab tak ANJU ne pucha hi nahi....

Wo sawal jo uske man me tabse hai jab se wo SHADOW WORLD me fasi thi...

Wo sawal jo ab bhi usse lagatar andar se bechain kiye hue hai par fir bhi wo us sawal ko puchne ki himmat nahi kar paa rahi hai.....

Meri baat sun sabhi firse chownke.....unhe samajh nahi aaya tha ki mai kis sawal ke baare me baat kar raha aur pata karne ka ek hi tarika tha isiliye....



RONIT-ANJU...ye V.J kya bol raha hai????koi sawal hai jo tujhe pareshan kiye jaa raha hai aur tune fir bhi ab tak pucha nahi....????



RONIT ke puchne par bhi ANJALI ne kuch kaha nahi par uski palken zaroor bhig gayi thi aur wo un bheegi palkon se mujhe dekh rahi thi maano keh rahi ho ki jab pata hi hai toh bata de naa....?????!!!!!!!!



MAI-kuch baatein kahi nahi jaati RONIT,samjhi jaati hai....



Meri baat naa samajh RONIT aankhon me sawal liye mujhe dekh raha tha....



MAI-teri apni G.F ke liye aur meri apni DOST ke liye taklif se badhkar bhi ek taklif hai RONIT jo ANJALI se judi hui hai....

Ek MAA aur PITAH ki apni bacchi se alag hone ki taklif...zindagi bhar apni ek louti bacchi ke bina zindagi guzarne ki taklif.....andar hi andar us gum ko paalte hue muskurate rehne ki taklif.....dusro ke bachhon ke birthdays par apno bacchi ke birthday celebration ko yaad karne ki taklif.....

Aur ANJALI apne MOM DAD ke ussi taklif ke baare me puchne se dar rahi hai..wo un dono ke baare me jaanane ke liye tadap rahi hai par wo jaanti hai ki uske bina uske mom dad ka kya haal ho raha hoga aur iisiliye ek sawal uske honton par aakar baar baar palat jaa raha hai aur wo ye ki......



ANJALI- MOM DAD kaise hain????



Chalakti aankhon se ANJALI ne apne honton par rooke hue sawaal ko bahaar nikal hum sabke saamne rakha...

Maatra chaar aksharon ke samooh se bana hua ek simple sa sawal par fir bhi aisa laga jaise in chaar aksharon ko apne zubaan se baahar nikalne ke liye ANJALI ne apni puri shakti laga di thi....

Barasti hui aankhen,larazte hue honth,chehre par jhalkata dard,pure sharir me halki halki kampan aur us kampan ko aur asahaniya banati hui uski bechaini kisi ke bhi dil me tees pahunchane ke liye kaafi thi....

RONIT jhat se aage badha aur usne ANJALI ko apni baahon me chhupa sa liya...ANJALI bhi uski baahon me simat si gayi par aankhen uski ab bhi mere taraf hi thi..

Wo jaanti thi ki jawab usse mai hi dunga....aur isiliye....



MAI- khud hi dekh le.....



Mere aisa bolte hi hum sabke saamne hawa me ek baar firse ek naya chalchitra chalne laga...is baar usme ANJALI ke jaane ke baad humare ghar ke haalat ke drishya chalne waale the....

Us film ke shuru hote hi ANJALI RONIT ki baahon se nikal sidhi khade ho un drishyon ko mehsoos karne lagi.....

ANJALI ke mrith sharir (clone) ko apne aankhon ke saamne dekh jab uske mom dad AKASH uncle aur NEHA aunty ki dil cheerne waali rudaan hum sabke aur khaas kar ANJALI ke kaano me padi toh us rudaan ka asar hum sab par aur khaas kar ANJALI par bhi hua....

Yahan tak ki saare SAMAY SANCHALAK jo ki jeeven maran ke chakra ke bandhan se mukt hain,wo bhi is dard se achhute naa reh paaye.....

Jaise jaise scenes aage badhte gaye,ANJALI ki aankhon se behti ashruon ki dhaara ka bahaav bhi badhta gaya...

RONIT ANJALI ko console karne me liye aage badhne waala hi tha par tabhi maine usse man hi man aisa karne se mana kar diya...

Itne samay tak apne mom dad ke haalat ke baare me soch soch kar jo ek kism ka dar ANJALI ke man me bas sa gaya tha,uska in aansuon ke saath baahar nikal jaana zaroori tha....

Isiliye hi maine ANJALI ko ye scenes dikhaye the taaki jab ANJALI apne mom dad ke saamne aaye tab unhe apne saamne dekh panic naa ho,uska dimag stable ho chuka ho...

saare scenes chalne ke baad wo picture gaayab ho gayi....ANJALI ab bhi halka halka subak rahi thi....

Par ye bas kuch der tak hi hua...ANJALI ka bura waqt khatm ho chuka tha aur saath hi uske mom dad ka bhi...

Is khayal ke man me ghar karte hi ANJALI ka man shaant hone laga aur kuch hi der me wo back to normal thi...



MAI- all good....!!!!!!



mere sawal par ANJALI ne haan me apna sir hilaya...



MAI- hmm..RONIT,gharpar ANJU ke zinda hone ke baare me kya kahenge,iska jawab ye raha...



Ye bol kaine apne right ki taraf haath kiya aur mere aisa karte hi mere haathon se ek roshni nikli aur us roshni se ek aakruti banane lagi aur jaise hi us aakruti ne roop lliya,toh mere sabhi doston ke mooh se ek saath nikla....



MADDOXXXXX........

MAI- arre clone hai uska.....

RONIT- par iska hum karenge kya????

MAI-wahi jo ASMODEUS ne ANJALI ka kiya tha.....

RONIT-bhai,kuch samajh me aaye,kuch aisa bol....

MAI-simple hai yaar.... jaise ASMODEUS ne ANJALI ke clone ko use kar ANJALI ko mara dikhaya,thik waise hi hum bhi MADDOX pe saara ilzam daal ANJU ka zinda hona justify karenge...

ANJALI- kaise????aur MADDOX hi kyun???

MAI-tere kaise aur kyun ka jawab ek hi hai...tum sabko yaad hoga ki last baar hamare ghar waalon ke ke hisaab se humari aakhri ladhayi kisse hui thi...!!!!

ANJALI-ghar waalon ke hissab se hamari last ladhayi..........arre haan,wo toh MADDOX se hi hui thi...

MAI- exactly...jab RONIT hospital me admit tha aur mai gayab tha..aur jab mai wapas aaya tha tab maine dad ko aur sabko bataya tha ki MADDOX ne hi RONIT ko gaayab kiya tha aur saath hi usne mujhe bhi injured kiya tha....(FIRST CHAPTER)

Dad usse khojne nikalne waale the par maine us waqt unhe rok liya tha..par baad me dad ne MADDOX ko khojne ki koshish ki thi par MADDOX earth par tha hi nahi toh wo dhundhate kaise???

Usse toh humne GLUTO me maara tha....in short,MADDOX ki identity ab bhi missing hai...

Hum bas ghar jaakar ye kahenge ki MADDOX ne hi ANJALI ko gaayab kiya tha aur uski jagah ek dusri ladki jiski kad kaathi ANJU ke jaisi hi thi aur wo mar chuki thi,usse ANJU ki jagah usne implant kar diya tha...

Story ko aur strong banane ke liye hume bas ye batana hoga ki mai jo ghar chhodkar gaya tha wo bhi isiliye hi gaya tha kyunki mai jaan gaya tha ki MADDOX delhi me hi kahin hai aur ANJALI uske paas hai...

Maine kuch khaas bande wahan lagaye hue the jo MADDOX ko dhund nikalen.....aur finally mere bando ne MADDOX ko khoj hi nikala aur usse ANJU ko chupaaye jagah ka pata bhi nikalwa liya...

Par ANJU aur MADDOX ke louethe waqt MADDOX ke logon ne mere logon par humla kar diya...

mouka dekh MADDOX bhaagne ko hua par tabhi mere logon ne usse goli maar di...apne boss ko marta dekh MADDOX ke aadmi bhaag gaye aur mere bande ANJU ko wapas le aaye....simple.....


RONIT- yaar kahani toh thik hai par 1.5 saal tak ANJU ko MADDOX ne zinda kyun rakha,is baare me kya kahenge???

MAI- yahi ki MADDOX ANJU se shaadi karna chahta tha taaki uski aur uske saath saath hum dono ki properties par bhi kabza kar sake...

Par wo chahta tha ki ANJU iske liye khud ready ho.
MADDOX jaanta tha ki aisa hone par hi wo apne maksad me kaamiyab ho sakta hai...

wo ye bhi jaanta tha ki agar usne zor zabardasti se ANJU se shaadi bhi kar ki toh usse kuch haasil nahi hoga..mere dad itne strong aur powerful hain ki wo us shaadi ko amaanya dikha MADDOX ko jaan se maar denge..

Aise me sirf ANJALI ki khud ki marzi se usse ki hui shaadi hi uske plan ko successful bana sakti hai..

MADDOX ne socha ki zabardasti hi sahi,par apne paas rakh apni acchayi waale roop ko dikha wo ANJU ke man me apne liye pyaar paida kar dega par aisa hua nahi..

Tab usne ANJU se kaha ki jab tak wo usse shaadi karne ke liye raazi nahi ho jaati tab tak wo usse kaid karke rakhega...usne ANJU ko ek sunsaan jagah par andhere me 24/7 kaid karke rakha taaki us indirect torture se tang aakar ANJU uski baat maan jaaye...

Par aisa hua nahi aur jaisa ki maine bataya,mere bando ne finally ANJU ko dhund liya......

RONIT-haan yaar,ye angle sahi hai....

MAI- pata hai..ab chalen,hum sab already late ho chuke hain...jo scene ghar par hone waala hai,usse aur impactful banane ke liye maine hum sab ke clones ko 12 ghante pehle gaayab kar diya hai...

RONIT- abbe fir toh ghar par sabhi tention me honge...

MAI- tention ke baad khushi bhi toh milne waali hai..toh ab late naa karte hue nikalte hain...



Humare jaate hi aap sab apna kaam firse shuru kar dijiyega..aur mai aapke grah ke baahar ek shield bana dunga..

Jiske baad koi bhi black energy ka dharak aapke grah ke aas paas tak nahi aa paayega..

Meri baat sun sabhi SANCHALAKON ne bas apne apne haath jod liye....

Maine ek baar muskurakar sabko dekha aur agle hi pal mai AVANTIKA aur mere sabhi dost gayab ho chuke the...

Hum sab sabse pehle YELUPTUS ke orbit ke baahar prakat hue jahan maine apne kahe mutabik ek behad hi strong shield bana di..is kaam ko khatm kar hum sab ek baar firse gaayab ho chuke the.....






PLANET-EARTH





PLACE-NEHA MANSION





driver,jaldi se gaadi nikalo........



NEHA ( ANJALI ki mom ) ki baat sun driver turant car nikalne garage ki taraf badh gaya...

jab se ANJALI guzri hai(as been shown)tabhi se uski mom NEHA ke aankhon me hamesha se hi ek udaasi rahi hai par aaj un udaas aakhon me udaasi ke saath saath bechaini bhi thi...

reason....kuch der pehle hi VIKRAM ki mom MINU ka phone aaya tha ki VIKRAM aur RONIT subah se hi kahin gaye hue hain aur abhi tak nahi loute...

jaisa ki maine bataya tha ki VIKRAM aur RONIT bhi NEHA ke liye apne sage bache se kam nahi hain toh aise me tention toh hogi hi.....

VIKRAM ki mom ka phone aate hi NEHA jo ki ANJALI ki taswir ke aage khadi apni beti ko nihar rahi thi,wo turant apne anant saagar roopi dard se baahar aayi aur driver se car nikalne ke liye kaha....

ANJALI ki mom baahar ki taraf jaane hi waali thi ki.....



KAHIN JAA RAHE HAIN AUNTY......?????



MINU AUNTY ke kaano me ye awaaz takrayi jisse sun wo shocked ho gayi...

reason....ye awaaz ussiki thi jiski fikar me wo uske ghar jaa rahi thi matlab meri.....

aunty ne jhat se darwaze ki taraf dekha jahan se mai aur RONIT andar aa rahe the..hume sahi salamat apne saamne dekh aunty relaxed bhi hui aur saath saath naaraz bhi aur isiliye......



A/MOM-VICKY,RONIT.....kahan the tum dono subah se...????agar late tak baahar rehne ka plan tha toh kamsekam inform toh kar dena chahiye tha...

lekin nahi.....naa call na hi koi msg...yahan tak ki tum dono ke phone bhi band hain...

tum dono ko idea bhi hai ki tum dono ki moms kitni pareshan the...hum sab kitne pareshan the....

lekin tumhe isse kya???jab khud ek parent banoge naa tab pata chalega ki jab wo bacha jisse apne khun se seench kar maa baap bada karte hain,wo jab yun achanak gayab ho jaata hai,chhodkar chala jaata hai toh kaisa lagta hai????



aakhri baat kehte kehte NEHA aunty ka gala roondh sa gaya tha aur wajah bhi waajib thi...

kyunki daant bhale hi wo hum dono ko rahi thi,par un daant bhari baaton me zikr unki eklouti beti ka tha...

dard us beti ke chale jaane ka tha...



MAI- sorry aunty..aage se hum is baat ka dhyan rakhenge ki hum teeno me se kisi ki bhi wajah se aapme se kisi ko bhi koi taklif naa pahunche....



meri baat par aunty ke aankon me sawal dikhne laga tha.......mere TEENO kehne ka matlab unhe samajh nahi aaya tha.....wo kuch kehti usse pehle....



DRIVER-madam,car porch par khadi hai....

MAI- uski ab zaroorat nahi hai...gaadi wapas garage me park kar dijiye...



hum teeno ke ghar ka har member teeno ke hi ghar ke maalik ka darja rakhta tha...

aur hum teeno ke ghar me kaam karne waala har banda ye baat jaanta tha isiiliye mere kehte hi driver wapas gaadi garage me park karne chala gaya....

wahin jaise hi driver aaya tha,aunty ke dimag me click kiya ki wo kahan aur kyun jaa rahi thi isiliye unhone turant apna mobile nikala aur wo mom ko call karne hi waali thi ki....



MAI- kisse call kar rahi hai aunty???

A/MOM- teri aur RONIT ki mom ko....unhe bata deti hun ki tum dono yahin ho....

MAI- uski zaroorat nahi hai aunty..maine yahan aane se just pehle sabko already call kar diya hai aur sab yahin aa rahe hain....



darasal baat ye thi ki ANJALI ke ghar aane se just pehle hi maine apni shakti se ek saath apne aur RONIT ke mom dad ko call karke yahan bula liya tha..

aur saath hi AKASH uncle ko bhi turant aane ko keh diya tha.....



A/MOM- yahin aa rahe hain matlab.....



MAI- aap aaram se baithiye.....sabke aane ke baad sab pata chal jaayega....



ye bol maine aunty ko sofe par bitha diya..anuty ke hi baaju me RONIT bhi baith chuka tha....wahi mai chalta hua ANJALI ki photo ke saamne jaakar khada ho gaya....

meri koi bhi baat aunty ko samajh me nahi aayi thi par phir bhi wo chup chaap baithi hui thi...

jaisa ki aap sabko pata hai ki hum teeno ke ghar aas paas hi hai isiliye meri aur RONIT ki mom jaldi hi yahan pahunch chuki thi....



MOM-VICKY......

R/MOM-RONIT......




meri aur RONIT ki mom ne aate hi hum dono ek naam pukare...bhale hi maine mom ko aur aunty ko bata diya tha ki mai aur RONIT safe hain,par fir bhi mom toh mom hi hoti hai...

hum dono ko apni aankhon se apne saamne dekhne ke baad hi hum dono ki moms ki nervousness khatm hui.....

mai bhi chalta hua mom ke paas pahunch gaya..hum dono ko hi hamari moms ne gale se laga liya...



MOM- kahan the tum dono subah se???koi call tak nahi kiya tum dono ne upar se tum dono ke phone bhi band aa rahe the???

MAI- sorry mom..wo bohot important kaam tha isiliye jaana pada...

R/MOM- arre beta,jaane ke liye kisne roka hai???par kamsekam tum dono ko hume inform toh karna chahiye naa...!!!

MAI- sorru aunty..wo kaam hi itna important tha ki dhyan hi nahi raha but next time dhyan rakhenge.....

MOM- aisa kya kaam pad gaya beta???

MAI-wo mom,RONIT ne ek ladki pasand ki hai..toh usse hi milne gaye the....



meri baat sun mom aur dono aunties ko shock laga...meri baat sunte hi teeno ko ANJALI ki yaad aa gayi thi...

unhe samajh me nahi aa raha tha ki wo RONIT ke liye khush ho ya ANJALI ke liye sad..bhale hi unke hisab se ANJALI ab humare beech nahi thi par un sabne ANJALI ko hi RONIT ki future wife maan liya tha....

aise me jab in teeno ko pata chal raha tha ki koi aur hai jo ANJALI ki jagah leni waali hai,toh teeno hi udaas si ho gayi thi....

par taajub ki baat ye thi ki hum teeno ki moms me sabse pehle normal ANJALI ki mom hui...



A/MOM- arre waah..aakhirkaar mera beta mere liye bahu laa raha hai....



ye bol aunty ne RONIT ka maatha chum liya.....wahin aunty ki baat sun RONIT ka bhi dil bharr aaya tha..

wo bhi jaanta tha ki ANJALI ki mom ko bhi meri baat sunkar taklif hui hai par sirf RONIT ke khushi ki khaatir apna gum daba wo khushi jata rahi hai...



MAI- kya hua??kya aap dono khush nahi hain???



ANJALI ki mom ka reaction aur fir meri baat sun meri aur RONIT ko mom ko bhi laga ki unhe udaas nahi hona chahiye balki khush hona chahiye ki RONIT life me aage badh raha hai aur isiliye....



DONO-kyun khush nahi honge????huamre bete ne humare liye bahu dhund li hai,isse badi khushkhabari hum sabke liye aur kya ho sakti hai????



KHUSH KHABARI!!!!!KAISI KHUSHKHABARI?????



abhi humme se koi kehta isse pehle hi ye awaaz hum sab ke kaan me padi jo ki mere dad ki thi jo AKASH uncle aur HARPREET uncle ke saath humare paas aa rahe the...



MOM-RONIT ne hum sabke liye bahu dhund li hai.....



mom ki baat sun dad aur dono uncles ke chehre ka muskurata expresion ekdum hang sa ho gaya...

teeno ko hi samajh me nahi aaya ki wo kaise react karen????jo feelings hum teeno ki moms ki thi,wahi hamare dad ke dil me bhi chalne laga tha..

par NEHA aunty ki hi tarah AKASH uncle ne bhi sabse pehle RONIT ko badahayi di aur unko follow karte hue dad aur HARPREET uncle ne....



DAD- arre par ye toh batao ki ladki hai kaun taaki hum sab jaaye,usse mile aur turant saari baat pakki kar len...

MAI-ladki yahi mumbai se hai dad aur aap usse bohot ache se jaante hai..infact aap sab usse bohot ache se jaante ho aur pyar bhi bohot karte ho.....



meri baat sun ek baar firse sabhi shocked ho gaye...



MOM- hum sabhi jaante hain aur pyaar bhi karte hain!!!kiski baat kar raha hai???

MAI- batata hun..par usse pehle ek kaam toh kar lun...



ye bol mai wapas muda aur ek baar firse jaakar ANJALI ki photo ke paas pahuncha jispar maala chadhi hui thi aur agle hi pal.....



A/MOM-VICKY.............



mera naam lekar ANJALI ki mom zor se cheekhte hue tezi se aage badhi aur agle hi pal.....



CHATAAKHHHHH........



ek zor ka tamacha mere gaalon par apni mohar laga gaya......

par mujhe tamacha maarne ke baad NEHA aunty ke chehre par vismay ke bhaav ubhre..

reason.....thappad khaane ke baad mere chehre par ek smile aa gayi thi jisse dekh NEHA aunty aur unke saath hum teeno ke parents bhi shock hue the....

toh hua ye tha ki ANJALI ki pic ke paas pahunch maine Auski tasvir par chadhi maala ko nikal fek diya jis wajah se sab gharwaale shock aur NEHA aunty shock ke saath saath naaraz bhi ho gayi thi....



MOM- VICKY...ye kya harkat hai.....?????tune ANJU ki tasvir se maala kyun nikali????

MAI-us maala ka is tasvir par koi kaam nahi...



meri baat kisi ke bhi palle nahi padi thi aur isiliye...



MOM- ye tu kya bole jaa raha hai????

MAI- wahi jo aap sun rahi hai mom....aaj ke baad ANJU ki taswir par koi maala nahi chadhegi.....



jahan mujhpar haath uthane ke baad NEHA aunty roye jaa rahi thi wahin mere baaki sabhi gharwaalon ko toh kuch samajh me hi nahi aa raha tha....

par in sab ke beech mere dad jaante the ki mai kuch bhi yunhi nahi karunga aur khaas kar tab jab baat ANJALI ki ho isiliye....



DAD-asli baat kya hai VICKY????



DAD ki baat sun mai pehle muskuraya aur fir.....



MAI-dad,RONIT jis ladki ko chahta hai wo nahi chahti ki ANJALI ki pic par koi haar chadhe...



meri baat sun sabhi bohot shocked hue aur khaas kar NEHA aunty aur AKASH uncle....

dono hi nahi samajh paa rahe the ki jis ladki se RONIT pyaar karta hai,usse unki mari hui beti ke tasvir par chadhe haar se kya taklif ho sakti hai aur isiliye...



AKSAH UNCLE-beta....tu ye kya bol raha hai????bhala usse hamari beti ki tasvir par haar chadhane se kyun problem hone lagi....

MAI- ye aap usse hi puch lijiye.....



sabko laga ki mai mobile par call lagakar puchne ke liye keh raha hun isiliye....



AKSHA UNCLE- call laga...baat kara.....

MAI- uski zaroorat nahi hai uncle..wo yahin hai..aap usse saamne se puch lijiye...



meri baat sun sabhi chownke.....



DAD- yahin hai!!!!par kahan......?????

MAI-andar aa jaa.....ANJALI..........



mere andar aa jaa kehne par sabhi piche palte par jaise hi mere mooh se halka sa rook kar ANJALI nikla,toh sabke chehre wapas meri taraf ghum gaye....


sabko samajh me hi nahi aa raha tha ki mai kis ANJALI ki baat kar raha hun.....!!!!

wahin ANJALI jo ab tak hall ke dusri taraf INVISIBLE hokar khadi thi,mere pukarte hi wo jhat se visible hui aur agle hi pal baahari darwaze ke piche se apne kadam aage badha wo baahar nikli aur hall ke entrance ke beech me khadi hui...........

wahin mere mooh se ANJALI sunanane ke baad sabhi mujhe hi dekhe jaa rahe the par jaise hi ANJALI hall ke entrace par aayi toh...



MAI- piche paltiye.....



meri baat sun jaise hi sabhi piche palte toh...........



JHATKA......AVISHWAS.......STHBADH.......DARD.......KHUSHI......ADHEERTA.........ye saare expressions aur feelings paida hote chale gaye hum teeno ke parents ke chehre aur dilo dimag par.....

ANJALI hum sab ke saamne thi par abhi tak koi bhi apni jagah se hila tak nahi tha...

ek statue ki tarah sabhi ANJALI ko dekhe jaa rahe the...

unhe lag hi nahi raha tha maano ANJALI unke saamne hai..sabko yahi mehsoos ho raha tha ki ye koi khubsoorat sapna hai aur agar wo hile bhi toh ye sapna toot jaayega.....

wahin ANJALI bhi itne time baad apne mom dad aur baaki sabko dekh aankhon me paani liye chup chaap khadi hui thi.....

ab is sitiuation ko aage toh badhana hi tha isiliye mai aage badh NEHA aunty aur AKASH uncle ke paas pahuncha aur.....



MAI-yahi hai wo ladki jisse RONIT ne pasand kiya hai....aapki beti....jo zinda hai.ab aap hi batayiye ki ek zinda ladki apne tasvir par maala kaise tangi dekh sakti hai.....

aankhon me ab bhi avishwas ke aansu liye NEHA aunty aur AKASH uncle mujhe dekhne lage...



MAI- ye koi jhooth ya koi trick nahi hai uncle..trick wo tha jo aap sabko dikhaya gaya tha....

jis ANJALI ki body ko aap sabne dekha tha aur jalaya tha wo bas ek duplicate thi aur jo aapke saamne khadi hai,wo original hai matlab aapki beti hai.....



meri baat sun wahan khade hum teeno ke parents ke dimag me maano ek dhamaka sa hua...sabhi shocked hokar mujhe dekh hi rahe the ki.....



ANJALI-MOM.............DAD...............



wo do naam jo pure bramhaand ka saaransh hain,wo hum sabke aur khaas kar NEHA aunty aur AKASH uncle ke kaano me pada jisse sun un dono ke dilon me pade sukhe par baarish ho gayi....

ab tak shock se jad hue un dono ke pair maano ek jhatke me khul gaye aur wo dono apni beti ki taraf bhaage.....

kuch hi seconds me NEHA aunty aur AKASH uncle ANJALI ke saamne the...

ek tak kuch pal apni beti ko niharne ya fir ye kahun ki confirm karne ke baad ki ANJALI sach me unke saamne hi hai,NEHA aunty aage badhi aur agle hi pal unhone apni beti ko apni baahon me samet liya tha.....

NEHA aunty ne ANJALI ko itne zor se apne me chupa sa liya tha maano wo usse puri duniya se chhupa kar apne paas hifazat se rakh lena chahti ho...

wahin AKASH uncle bas apni beti ko bin aawaz neer bahate hue dekhe jaa rahe the...

aansu toh mere sabhi ghar waalon ke aankhon me bhi the .wo sabhi NEHA aunty aur AKASH uncle ke piche khade ho gaye the....

wahin ANJALI ko maine pehle hi apni mom dad aur baaki ghar waalon ki har taklif se roobaroo karwa diya tha isiliye wo sayyam me thi jo aise haalat me zaroori tha....

kaafi der baad bhi jab AUNTY ka rona khatm nahi hua toh......



ANJALI- mom.....please royiye mat..aap ko toh khush hona chahiye ki mai wapas aa gayi hun..i promise ki ab aapko chhodkar kahin nahi jaaungi....



ANJALI ki baat sunane ke baad bhi NEHA aunty kuch der tak yunhi roti rahi par fir dheere dheere unka rona subakne me badalne laga aur fir kuch der baad jab unka saara dard khatm hua toh wo apni beti se alag hui....

NEHA aunty ke alag hote hi ANJALI apne dad ke gale lag gayi...

dard toh AKASH uncle ka bhi aunty jitna hi tha ya fir ye kahun ki unse bhi zyada tha par unhone khud ko control karke rakha hua tha....

rokar wo apni beti ko nahi rulana chahte the.......bas unke mooh se ek hi sentence nikla aur wo ye ki....



AKASH UNCLE- dobara hume chhodkar mat jaana baccha.....



bas itna hi kaha AKASH uncle ne apni ladkhadati hui zubaan se par itna hi kaafi tha..

unka pyaar aur dar dono dikh gaya unki baat se....

kuch der tak apne dad ke gale lagne ke baad ANJALI unse alag hokar mere dad ke gale lag gayi...

akhir mere dad ki sabse laadli ANJALI hi thi...uski zidh ke aage meri aur RONIT dono ki baat nahi chalti thi.....

DAD se alag hokar ANJALI MOM ke paas gayi aur uske baad ek ke baad sabse mili...

jahan ek taraf sabko abhi bhi vishwas nahi ho raha tha ki unki bachi zinda hai aur unke saamne hai...

wahin DAD ke dimag me meri kahi baat chal rahi thi.....

aur jaise hi ANJALI se sabka milna pura hua...



DAD- VICKY.......tu kya bol raha tha ki jo hume dikhaya gaya tha wo jhooth tha..jo body ANJU ki humne jalayi thi wo duplicate thi....



DAD ki baat sun sabhi ke dimag ki ghanti baji aur sabhi meri taraf dekhne lage....

aur fir maine,RONIT ne aur ANJALI ne sabko wahi kahani sunayi jo maine YELEPTUS me banayi thi....

ANJALI aur RONIT ki dramatic acting ne meri kahani ko aur sacha bana diya tha..

par meri story sun mere gharwaalon ka dimag ghum gaya tha....

wahin ye jaankar ki mai shuru se hi ANJALI ko khojne me laga hua tha,mom aur dono aunties khush ho gaye the....

jaise hi meri story khatm hui,dad aur dono uncle baahar nikalne ko hue par tabhi...



MAI- dad.....MADDOX ab nahi raha aur uske baaki ke gharwaale bhi mar chuke hain..

so relax..bas aap itna dekh lijiyega ki agar kabhi MADDOX ki body mile toh humara naam nahi aaye...



DAD- uski tention mat le....kuch nahi hoga...



man hi man muskurate hue maine dad ko thanks kaha.....



HARPREET- yaar hamari beti hume wapas mil gayi hai....party toh honi chahiye aur media ko bhi toh handle karna hoga....unse kya kahenge???

DAD-wahi kahenge jo hua hai..bas us MADDOX ke chapter ko chuppana hai aur uski jagah kuch naya add karna hai....

ANJALI- papa,party nahi karenge...isse acha hum sabhi kahin ghumkar aa jaayenge...

DAD- ye bhi sahi hai..toh fir done.....kahan jaana hai,iska kal tak plan kar lo,2 ya 3 din me nikalte hain....



ab tak NEHA aunty chup thi,par dad ke bolne ke baad....



NEHA aunty-VICKY.....beta....


MAI- aunty please sorry mat kahiyega..aur waise bhi aapne mujhe thappad nahi maara tha balki as punishment maine thappad khaaya tha...

punishment ki maine ANJU ko aapke paas laane me itne deri kar di...saza ki aap sabko itne time tak ANJU ko mara samajhkar tadapte hue jeena pada...



maine NEHA aunty ki baat kaatkar aapne baat kahi jisse sun unhone mera maatha chum liya..

hum sab jaante the ki abhi NEHA aunty aur AKASH uncle ko apni beti se dher saari baat kari hogi aur upar se raat bhi kaafi ho chuki thi isiliye hum sab apne apne ghar nikal gaye..

ghar pahunch jab mom ne ANJALI ke zinda hone ki khabar naanaji,naanjiji,mamaji aur maamiji ko sunayi toh pehle toh baakiyon ki hi tarah sabhi ko zor ka jhatka laga par sabhi bohot zyada khush bhi ho gaye....

ANJALI ko dhund kar laane ke liye sabne mujhe aashirwaad diya...

sabhi ko g.n wish kar mai apne room me chala gaya....

subah se ab tak maine sabhi ko jhatke par jhatke diye the par ab ek jhatka mera bhi intazar kar raha tha........




IN MY ROOM:-





ABBE SAALI YE HAI KYA CHIZ JO MERI PAKAD ME NAHI AA RAHI HAI.....?????



room pahunch fresh ho mai dhyan me baith kuch pata lagane ki koshish karne laga par kaafi der tak koshish karne ke baad bhi jab mai successful nahi ho paaya toh maine apni aankhen khol ye baat budbudayi.....

darasal baat ye thi ki subah se hi mujhe apne andar ek ajeeb si bechaini mehsoos ho rahi thi,jiska mai reason nahi jaan paa raha tha...

normally jab mujhe us bechaini ka matlab samajh me nahi aaya tab maine ghar pahunch dhyan me uske baare me pata lagane ki sochi par is koshish me bhi mai fail hua....



MAI khud se-saala ab ye kya naya chakkar hai....?????kaise pata lagaun?????



maine khudse ye baat kahi hi thi ki tabhi mere seene ke beech vibrations hone lagi jisse mehsoos kar mai shocked ho gaya...

reason..mujhe pata tha ki ye vibration kyun ho rahi hai aur isiliye mere mooh se nikla.....



MAI- BHAVISHYAVAANI.....



maine apne seene me haath rakh BHAVISHVAANI ko baahar aane ki anumati di..

ek tez prakash ke beech me BHAVISHWAANI baahar aayi par saath hi mere liye ek naya jhatka lekar aayi...

aur wo aise ki mere andar kul teen BHAVISHYAVAANIYAN thi..

mujhe laga tha ki mere anumati dene ke baad koi ek BHAVISHYAVAANI baahar aayegi par yahan toh mere samane teeno BHAVISHYAVAANI jo ki charre ke roop me the,ek saath hawa me rooke hue the...

hairani ki baat ek aur thi.BHAVISHWAANI numa un teeno charron ke beech me kuch likha hua tha jo ki abhi tak kabhi nahi hua tha....

chaliye aap bhi jaan lijiye ki un BHAVISHYAWAANI numa charron me aisa kya likha tha jisse dekh mujhe hairani hui thi.....

Darasal,teeno chanakte charton me beech me unke kram likhe hue the..par sirf beech waale charre me hi normal number tha..

Baaki left end aur right end waale charre me ek nahi balki ek hi tarah se do do numbers likhe hue the...

Nahi samjhe,chaliye samjhata hun.....



Beech waale charre me 2 likha hua tha par uske right aur left waale dono hi charron me 1 ya 3, aisa likha hua tha..

Par mai iska matlab samajh chuka tha....mujhe left end ya fir right end waale charron me se kisi ek charre matlab BHAVISHVAANI ko chunana tha...

dono me se jisse bhi mai chunta,wo PEHLA ho jaata aur jisse nahi chunta wo TEESRA ho jaata....

Ab mujhe pata toh tha hi nahi ki kis charre me kya bhavishyawaani hai isiliye maine man hi man LEFT end waale charre kobchuna aur mere chunaav karte hi do cheezen hui..

Pehli cheez toh expected thi par dusri ne mujhe firse ek jhatka diya....

Chaliye pehle expected yaani pehli cheez ke baare me bata deta hun..



Toh mere chunaav karte hi LEFT waale charre par jo 1 ya 3 likha tha,usse 3 mit gaya aur right waape charre par se 1 meet gaya....

Aur dusri cheez jo hui aur jo unexpected thi wo ye thi ki un do charro ke upar jinme 1 aur 3 likha hua tha,ab unpar aur bhi kuch likha gaya jisse padh mujhe jhatka laga tha....

Mai is baare me soch hi raha tha ki tabhi wo charre chamakne lage jiska matlab tha ki filhal unka kaam khatm hua aur ab wo mere andar jaana chahte hain...

Mere ijazat dete hi teeno charre roopi BHAVISHVAANI mere seene ke andar chali gayi...

Aur mai un do charron ke upar jo likha tha unke baare me apne bed par letkar sochne laga....



MAI- kya matlab ho sakta hai 1ST aur 3RD BHAVISHYAVAANI ka.....



Ye bol mai un dono BHAVISHVAANIYON ke upar jo likha tha usse dohraane laga.....



1ST BHAVISHYAVAANI-ANGELS SACRIFICE......



3RD-BHAVISHYAVAANI-DEVILS DEMOLITION......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANJALI APNE GHAR WALON KE SAAMNE AA JAATI HAI WAHIN VIKRAM KE SAAMNE EK SAATH TEENO BHAVISHYAWAANIYAN BAAHAR AA JAATI HAIN JINME SE DO KE UPAR DO ANBUJHE SHADB LIKHE HOTE HAIN
AB AAGE:-










FINAL CHAPTER






(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)




UPDATE-113






PLANET-VRIHAKH






PLACE-MOUNTAINS TOP








ARRE....YE KAISI MAAYA HAI?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?NAA TOH DIKH RAHI HAI,NAAHI SAMAJH ME AA RAHI HAI...




BAS EK EHSAAS HAI AUR WO BHI KITNA NAKARATMAK?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?PAR KYA?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





SAMAJH TOH MUJHE BHI NAHI AA RAHA HAI SHAILA???AAKHIR AISI KAUN SI NAKARATMAK URJA HAI,JISSE HUM TEENO MEHSOOS TOH KAR PAA RAHE HAIN,KINTU SAMAJH BILKUL BHI NAHI PAA RAHE HAIN...





HAAN MOKALSAR,AUR YE KOI CHOTI BAAT NAHI HAI..ZAROOR KOI NAYI AUR BOHOT BADI AAPADA HUMARE CHARON TARAF HAI...

EK AISI AAPADA JISSE AGAR JALDI SE MITAYA NAHI GAYA TOH BOHOT GALAT HO JAAYEGA.....





KINTU HUM KAR BHI KYA SAKTE HAIN AKSHAANT.....JIS AAPADA KO HUM SAMAJH HI NAHI PAA RAHE,USSE LADENGE KAISE???





SHAILA,MOKALSAR aur AKSHAANT teeno apne grah ke sabse pade aur ghane pahad ki choti par dhyan me baithe the...

waise toh dhyan me baithna,ye in teeno ne bachpan me hi shuru kar diya tha aur ab jab ye teeno ANGELS ki shakti rakhte the,toh apni apni shakti ko aur badhane ke liye in teeno ka dhyan me baithna anivaarya tha...

par abhi in teeno ke dhyan me baithne ka reason kuch alag aur zyada important tha..

darasal baat ye thi ki pichle kuch ghanton se in teeno ko pure bramhaand me ek negetive energy ki cover ka ehsaas hua tha...

aur ye feeling bohot strong thi jiske mehsoos hote hi in teeno ke man vichlit se ho gaye aur inhone turant us negetive energy ke cover ke baare me pata lagane ki sochi..

aur issi maksad ko pura karne ke liye teeno dhyan me baithe the par lagatar 2 ghante tak dhyan me rehne ke baawajud bhi teeno ko kuch pata nahi chala...

par ek baat zaroor hui aur wo ye ki jis negetive enegry ko ye talash rahe the,waqt ke sath saath inhe uska ehsaas aur asar badhta hua sa mehsoos hone laga..

jaise aasman me baarish hone se pehle ghanghor baadal dheere dheere aasaman ko gherte jaate hain,thik waise hi inhe us negetive energy ki shakti ke daayre ke badhne ka ehsaas ho raha tha.....

teeno ek dusre se is baare me lagatar baat kar solution ke liye naye naye ideas soch rahe the,par unhe kuch samajh me nahi aa raha tha....

aur jab ye prayas kar karke haar gaye toh....



SHAILA-VIKRAM......ab wahi hume is baare me kuch bata sakta hai...

AKSHAANT- haan...aur waise bhi usne toh is negetive energy ko hum sabse pehle hi feel kar liya hoga....

MOKALSAR- fel kya,ab tak toh usne iska solution bhi nikal liya hoga...

SHAILA- toh fir der kis baat ki.....turant VIKRAM ke paas chalte....



SHAIL ki baat par MOKALSAR aur AKSHAANT ne sehmati dete hue apni apni gardan hilayi aur agle hi pal teeno gayab ho chuke the....






PLANET-WARRIORS WORLD





PLACE-CLOUD COVER






YE KAISI ANISHTATHA KA ABHAAS MERE HRIDAY AVUM MASTISHKH ME HO RAHA HAI....

ITNI AJEEB AUR NIRJEEV BHAAVNA KA JANM TOH MERE ANDAR TAB BHI NAHI HUA THA JAB ASMODEUS NE MUJHE HARAKAR MERE GRAH KO APNA GULAM BANA LIYA THA....

TAB BHI MERA MAN ITNA VICHLIT NAHI HUA THA JAB ASMODEUS NE MUJHE US VIRAN GRAH ME KHOJ MERE MASTISHK KO APNE KABZE ME KAR LIYA THA....

FIR YE KAISA AABHAS,KAISI ASHANTI HAI JO MERE HRIDAY KO GHERE HUE HAI....

AUR SABSE BADI AUR AJEEB BAAT TOH YE HAI KI MAI CHAARON TARAF FAILI IS ASHANTI KO MEHSOOS TOH KAR PAA RAHA HUN,KINTU KAARAN NAHI JAAN PAA RAHA HUN....




thik MOKALSAR.SHAILA aur AKSHAANT ki hi tarah DEFENDER ko bhi kaafi der se wahi manhusiyat waali feeling aa rahi thi...

usse aisa lag raha tha maano uske aas paas har taraf kisi ne koi negetive SPELL bola hai jis wajah se pure vaayu mandal me koi invisible astra ne apna saamrajya sthaapit kar liya hai....

unhe bhi samajh nahi aa raha tha ki ye achanak hua toh hua kya hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



apni baat keh ya fir ye kahun ki apni becahini ki gaatha khud ko hi sunane ke baad DEFENDER bhi dhyan mudra me baith gaye taaki is negetivity ka jo wo feel kar rahe the,uska pata laga saken par.....




DEFENDER- ye ho kya raha hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

vaatarvaran me toh koi bhi dushit shakti ke aagman ka koi bhi sanket mujhe nahi mila...

sab kuch waisa hi hai jaisa kal tak tha...par fir mera man kisi anarth ke hone ka andesha kyun jata raha hai???

aisa kya hai jo saamne hokar bhi adrishya hai...aur agar saamne hai toh fir dikh kyun nahi raha.....


ab is guthi ko suljhane ka bas ek hi tarika hai....VIKRAM.....jo mai mehsoos kar raha hun,usse toh sabse pehle LORD ne hi mehsoos kiya hoga...

mujhe shighr atti shighr unke paas jaana chahiye taaki is anbujhe paheli ka arth unse jaan sakun....



apne nirnay par pahunch DEFENDER bhi VIKRAM se milne ke liye antardhyan ho gaye.......











PLACE- HEAVEN





S.T CECILA......KYA AAP BHI......!!!!!



JI HAAN S.T SEBASTIAN......MAI BHI WAHI MEHSOOS KAR RAHI HUN JO AAP KAR RAHE HAIN.....



S.T ALFRICK AAP.....





JI S.T CECILA....MAI BHI.....JIS NAKARATMAKTA KO AAP AUR S.T SEBASTIAN MEHSOOS KAR RAHE HAIN,USSI BHAAVNA NE MERE ANDAR BHI JANM LIYA HAI....



ek ke baad ek teeno GOD'S MESSENGERS ne apni apni baat kahi...



thik MOKALSAR,SHAILA,AKSHAANT aur DEFENDER ki hi tarah in teeno ko bhi ek negetivity ki diwal har taraf khadi hui mehsoos ho rahi thi par wo bhi iska kaaran nahi jaan paa rahe the....



ST SEBASTIAN-ab sirf LORD hi hain jo hume is baare me kuch bata sakte hain..hum teeno ko turant unke samaksh pahunch jaana chahiye....

ST CECILIA- par saamne jaane ki zaroorat hi kya hai???hum sab ANGELS toh LORD se jude hue hi hain...

hum unse yahin se baat kar sakte hain....

ST ALFRICK-ye aap kya keh rahi hain CECILIA.....kya aap bhul rahi hain ki aap kiski baat kar rahi hain....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



agar LORD chaahen toh humse kisi bhi tarah baat kar sakte hain par agar hum yunhi apni shakti ka istemaal kar unse jude aur apni baat unke saamne rakhen toh ye unka anadar hoga....

ye mat bhooliye ki hum unse hain,wo humse nahi....wo hum sabke LORD hain....kya karna hai aur kaise karna hai,iska faisla wo karenge,hum nahi..

hum bas unse nevedan kar sakte hain,apni jigyasa shaant karne ke liye unki ijazat lekar unse puch sakte hain par jo bhi hum karen,wo apni maryada me reh kar sahi tarike se kare toh bi behter hoga....

ST SEBASTIAN- aur waise bhi,tumhe kya lagta hai ki LORD ko wo sab mehsoos nahi hua jo hum mehsoos kar rahe hain..

arre unhe toh ye bhi pata hoga ki hum abhi is waqt kya baat kar rahe hain....???fir unse judkar unse baat karne ki zaroorat hi nahi hai....

par kyunki hum ANGELS hain aur pure bramhand me aachai aur burayi ki shakti ke beech ka santulan banaye rakhne ka kaam hume mila hai,isiliye jo nakaratmak shakti hum sab ko mehsoos ho rahi hai,uska raaz jaanane ke liye hume khud LORD ke saamne upasthith hona chahiye....



ST ALFRICK aur ST SEBASTIAN ki baat sun ST CECICILA ko apni galti ka ehsaas hua....




ST CECILA-aap dono bilkul sahi keh rahe hain....maine jo sujhav diya tha,wo sarvatha anuchit tha..hum teeno ko khud LORD ke saamne jaakar unse baat karni chahiye....



ST CECILA ki baat ke baad teeno MESSENGERS antar dhyan hone hi waale the ki tabhi.....




un teeno ke har taraf tez roshniyan chamki aur agle hi pal bramhand ke saare ANGELS us roshni ke beech se prakat hue...

prakat hote hi saare ANGELS teeno MESSENGERS ke saamne sir jhukar khade ho gaye....

wahin achanak saare ANGELS ko apne saamne dekh teeno MESSENGERS shocked the....



1ST ANGELS-MESSENGERS,ek bohot hi ajeeb baat hai jisse batane ke liye hum sab yahan aake saamne upasthith hue hain....



ST CECILIA- hum wo baat jaante hain...hume bhi pure bramhaand me kisi nakaratmak shakti ka abhaas ho raha hai....

2ND ANGELS-ji wo toh hai hi..kintu ek aur baat hai...

darasal hum sabki jis WHITE ENERGY se BLACK ENERGY sayammit rehti hai,ab ussi BLACK ENERGY se hum sab ki WHITE ENERGY asayammit ho rahi hai...

aisa lag raha hai jaise koi shakti humare shakti ko har taraf faile rehne se rokne ki koshish kar rahi hai....

1ST ANGEL- aur wo jo bhi shakti hai,wo bohot shaktishali hai..hum usse naa toh dekh paa rahe hain aur naahi samajh paa rahe hain..

hum sabki shakti bhi us shakti ke aage kamzor pratit ho rahi hai...



ab tak toh wo adrishya shakti thehri hui si lag rahi hai par agar kahin us shakti ne apna daayra badhane ki sochi,toh wo zaroor humari shakti ko sokh legi jiska anjaam hoga.....



ST SEBASTIAN-BRAMHAAND KA VINAASH....

ST SEBASTIAN ke mooh se ye shabd apne aap nikal gaye jisse sun sabhi vichlit ho gaye....



ST ALFRICK- ab hume aur intazar nahi karna chahiye...hum sabko turant LORD ke saamne pahunch jaana chahiye....



ST ALFRICK ki baat par sabhi ne haami bhari aur agle hi pal teeno MESSENGERS aur unke saath saath sabhi ANGELS antardhyan ho chuke the.....






PLANET- EARTH





PLACE-MINAKSHI MANSION



GOOD MORNING UNCLE.....

GOOD MORNING AUNTY.....



hall me ek saath entry karte hue ANJALI aur RONIT ne mere dad aur mom ko wish kiya....



DAD/MOM-good morning beta.....



dono ke wish dene ke baad dad ne ANJALI ko apne paas baitha liya....



MOM-mai tum dono ke liye breakfast lagati hun.....

ANJALI- nahiiiiiii.....................



jaise hi mom ne breakfast ki baat kahi,ANJALI ke mooh se turant aur zor se ye shabd nikle jisse sun mom aur dad shocked ho gaye....



MOM- kya hua baccha...tu aise kyun react kar rahi hai...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



ANJALI-aunty,kal se lekar abhi ghar se nikalne tak mom aur dad mujhe bas kuch na kuch khilate hi jaa rahe hain...

12 ghanton me hi maine pure 1 mahine ka khaana khaa liya hai....



ANJALI ki baat par RONIT,MOM DAD teeno has diye....



MOM- tu toh naashta karega naa?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



RONIT- nahi aunty..aaj mujhe bhi mom ne thus thus kar breakfast karaya hai...

ANJALI-uncle,naanu,naani,maama,maami kahan hain....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?



HUM YAHAN HAI BETI.......




isse pehle ki ANJALI ke sawal par dad kuch jawab dete,ANJALI ke peeche se ye awaaz aayi jisse sun ANJALI turant palti.....



is waqt ANJALI ke theek peeche naanu,naani,maamaji,maamiji sab khade the.....aur sabhi ke aankhen paani se bhari hui thi...

par ye aansu khushi ke the..itne arse ke baad ANJALI ko zinda dekhne ki khushi....

ANJALI bhi turant uthi aur bhaagte hue naanu ke paas pahunch gayi...

sir par apne aashirwaad ka haath rakhte hue naanu ne bhi ANJALI ko apne gale se laga liya..

nanu ke baad ANJALI naani,maamu,aur maamiji se bhi mili...

ANJALI ko apne saamne zinda dekh sabhi khushi se fule nahi sama rahe the..

kisi ko vishwas hi nahi ho raha tha ki ye sach hai...aur aisa feel karna bilkul obvious tha.....

kisi ne kabhi ummid nahi ki thi ki ye khushi unhe kabhi naseeb hogi.....

kuch der ke liye maahoul kaafi emotional ho gaya
tha....par ANJALI aisa nahi chahti thi isiliye....



ANJALI- arre ye toh batayiye ki mere golu molu AASHI aur RAJ kahan hain...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?school gaye hain kya?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





MAAMIJI- haan ANJU.....wo dono school gaye hain...parso se dono ke exams hain,isiliye leave lena thik nahi tha...

ANJALI-ohh....


GOOD MORNING UNCLE,GOOD MORNING AUNTY.......



koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz hall me gunj uthi jo aur kisi ki nahi balki meri jaan AVANTIKA ki thi....



MOM/DAD-good morning AVNI....aao beta.......



ek pyaari si smile ke saath AVANTIKA aage badhi par tabhi uski nazar right side par khade NAANU,NAANI,MAAMA,MAAMI aur unke baaju me khade RONIT,ANJALI par padi...

AVANTIKA turant naanu ki taraf badhi aur un tak pahunch naanu,naani ke pair chu liye..

wo maamaji aur maamiji ke bhi pair chune ko hui par dono ne bina usse jhukne diye usse aashirwad de diya..


mom dad AVANTIKA ke gesture karne ke tarike ko dekh kar kaafi impress hue the....





ANJALI- hey babes.....

RONIT- hey AVNI.....

AVANTIKA- hey guyzz.......



greet ka jawab de jaise hi AVANTIKA ne ANJALI aur uske baad RONIT ko side hug kiya toh.....



RONIT-apne in laws ko jitna zyada ho sake,impress kar le taaki teri baat aage badhe....

AVANTIKA- haha very funny.........



RONIT ke mazak ka jawab de AVANTIKA palti aur mere mom dad ke paas pahunch jaise hi unke pair chhune ko hui....



DAD- arre bacha,betiyan pair nahi chhua karti.....

MOM- aao beta,aap nashta kar lo...

AVANTIKA- no aunty,i am full....

MOM- tum sab aj kal ke bache,mutthi bhar khaate nahi ki pet bhar jaata hai...pata nahi aage kaise karoge.....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?

MAI-thik hai mom..kal se do mutthi khayenge......khush.....



mom ki baat ka sidhi utarte hue maine jawab diya jisse sun sabhi has diye....



MOM- isse toh bas baat karwalo.....



MAI-aapko toh khush hona chahiye mom ki aapka beta aapse sikh raha hai.....



kuch pal lage,par jab mom ko meri baat ka matlab samajh me aaya toh....



MOM- kya kaha badmash???tu mujhse baat karna sikhta hai..matlab mai bohot zyada bolti hun....ruk tu zara.......

MAI- arre mom,mere kehne ka matlab tha ki meri mom bohot sweet bolti hai aur mai wahi sweetness sikh raha hun...

MOM- oye maa hun teri...mere saamne baaton ko ghumane ki koshish naa kar....mujhe sab samajh me aata hai...

MAI- wo toh aayega hi..aakhir V.J ki mom jo ho.....thoda asar toh hoga hi....

MOM- kya bola tu???



ye bol mom meri taraf badhi par mai turant dad ke paas jaa unke peeche khada ho gaya.....



MOM- badmaash........



mujhe dad ke peeche chhupte dekh mom bhi haste hue wahi rook gayi.....



DAD- chalo,ab tum sab milkar fatafat plan kar lo ki kahan jaana hai????hum kal hi nikal jaayenge...

ANJALI- arre haan,V.J tune hum dono ke parents ko kyun bulaya hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





ANJALI ki baat sun uske aur RONIT ke saath mere parents bhi mujhe sawal bhari aankhon se dekhne lage....



MAI- 1 minute rook,batata hun.......



abhi maine apni baat kahi hi thi tabhi hall ke entrance se RONIT aur ANJALI ke parents enter hue....

ek dusre ko greet karne ke baad sabki nazar mujhpar aakar tik gayi....




MAI-dad,uncles,hum sab ghumne kahin nahi jaa rahe....tour ka plan fir kabhi kar lenge....



meri baat sun sabhi shocked ho gaye.....



DAD- par kyun beta???koi khaas wajah???

MAI- hai naa dad..aur wo bhi bohot important....

RONIT,ANJU.....mere aur tum dono ke dads ka lagatar ek week tak london aur japan ke clients ke saath meeting hai....

agar ye meeting cancel hui toh dad aur uncles ke haath se billions ki deal nikal jaayegi.....

ANJALI- WHATTTTT???dad,itni badi deal line up hai aur aap sab ghumne jaane ki baat kar rahe ho....



jahan meri baat sun dad aur uncles shocked hue wahin ANJALI ki baat sun.....



DAD-beta,deals toh hoti rehti hai....par kaam tum teeno se zyada important toh nahi hai naa....

tu hume wapas mili hai,isse badi baat kya ho sakti hai....is khushi ke mouke ko celebrate karne se zyada aur kuch zaroori nahi hai....



dad ki baat sun ANJALI aage badhi aur dad ke gale lag gayi.....




MAI-dad,bhale hi deal humse important naa ho,par us deal se jo hoga,wo hum teeno se bohot zyada important hai....



meri baat sun ek baar firse sabhi meri taraf sawal bhari nazaron se dekhne lage...



MAI-jo deal ki baat ho rahi hai,us deal ke final hote hi jo bhi profit hoga,dad aur uncles ne us profit ka 10 % donate karne ka ek clause rakha hai....

wo 10 % najane kitni hi besahara zindagi ko ek naye disha me lejaane ke kaam aane waala hai....

ab aap sab hi batayiye,aise cause ko agar sirf isiliye rok diya jaaye kyunki hume celebrate karna hai,toh kya ye sahi hai???...

meri baat sun dad aur mom ka seena thoda aur ful gaya tha wahin mere aur RONIT aur ANJALi ki family bhi meri baat sun khush ho gayi thi...



ANJALI- tour cancel....uncle,aap meri har wish dad se bhi pehle puri karte hain...toh meri yahi wish hai ki aap teeno ye deal karen..

bus mujhe yahi chahiye aur kuch nahi.....& thats final......



DAD- thik hai princess..agar tum sab yahi chahte ho toh fir yahi hoga.....

waise VICKY,ek baat bata,hamari deal ki saari baatein tujhe kaise pata???



dad ki baat sun mere saare frnz aur AVANTIKA andar hi andar has diye....

ab jo sach tha wo toh keh nahi sakta tha isiliye.....



MAI-dad,bhale hi mai aapka business filhal nahi samabhal raha hun,par aapki saari files mai padhta rehta hun....

ussise mujhe aapke is hafte ki deal ke baare me pata chala aur aaj morning me bhi aap apni secretary se saare meetings reshcedule karne ki baat kar rahe the jo maine sun li thi....

meri baat sun dad aur unke saath saath sabhi muskura diye....

muskura toh mai aur mere saath saath ANJALI aur RONIT bhi rahe the par humari smile ka reason kuch aur tha.....

kya,chaliye batata hun....



darasal jab mai dad se baat kar raha tha tabhi mere chaaron taraf kuch bohot strong shaktiyon ka abhaas hum teeno ko hua tha..

ye shaktiyan aur koi nahi balki AKSHAANT,MOKALSAR,SHAILA,THE THREE GODS MESSENGER aur ANGELS the jo adrishya awastha me humare chaaron taraf khade hue the.....

mai jaanta tha ki ye sab yahan kyun hain aur isiliye....



MAI- mom,dad hum sab upar mere room jaa rahe hain...

MOM- thik hai..tum sab jaao,mai tum sab ke liye coffee bhijwati hun....

MAI-cool...



ye bol mai aage badh gaya aur mere saath saath hi AVANTIKA,ANJALI aur RONIT bhi stairs ke taraf badh gaye.....




IN MY ROOM:-







ABBE YE SAB EK SAATH YAHAN????KOI PROBLEM HAI KYA?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





RONIT ki baat sun jahan ek taraf mai has diya wahin ANJALI usse ghur kar dekhne lagi jisse dekh RONIT hadbada gaya.....

wahin AVANTIKA ko toh kuch samajh me hi nahi aaya aur isiliye.....



AVANTIKA- sab ek saath yahan matlab???kiski baat kar raha hai???kaun hai yahan?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



MAI- khud hi dekh lo....saamne aa jaayiye....



mere bolte hi tez prakash ke beech wahi maaya hui jo ANGELS ke mere room me aate hi har baar hoti thi....

mere room ka daayra badhta chala gaya aur dekhte hi dekhte us daayre ne ek anthin kamre ki shakal le li..

jaise hi is maaya ne apna kaam kiya,uske agle hi pal jo roshni humare chaaron taraf faili thi,wo roshni ghatathi chali gayi aur ab humare ek taraf VRIHAKH ke teeno dost,dusri taraf WARRIORS WORLD/ISLA ke DEFENDER,teesri taraf THE THREE GODS MESSENGER aur chouthi taraf saare ANGELS khade the.....

in sabko ek saath dekh AVANTIKA shocked ho gayi....usse andaza ho gaya tha ki koi bohot hi important baat hai aur isiliye hi ye sab ek saath mere paas aaye hain.....

wahin mere saamne aate hi DEFENDER,ANGELS aur GODS MESSENGER apne ghutno par aa gaye...



MAI- khade ho jaayiye....



mere bolte hi sabhi wapas khade ho gaye....



S.T SEBASTIAN-LORD....aapko toh sab pata hai...kripya hume bhi is anbujhi paheli ka matlab samajhayen....

RONIT- bhai,ye sab kis baare me baat kar rahe hain.....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?kuch hua hai kya?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





RONIT ki baat sun ek baar firse ANJALI ne usse ghur kar dekha....



MAI-kal se ab tak tu ek baar bhi dhyan me baitha hai???

RONIT- nahi.....



RONIT ne thoda darte hue apni baat kahi thi..usse bhi andaza ho gaya tha ki dhyan me naa baithne ki wajah se usse kuch bohot hi important chhut gaya hai.....



MAI-wajah jaan sakta hun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



RONIT- bhai,wo kal ANJALI ke milne ki khushi ki wajah se...

MAI- tu apna kartavya bhul gaya.....tu bhul gaya ki ab tu koi sadharan manushya nahi hai...

ANGELS ki shakti hai tujhme..ye shakti show off ke liye nahi hai RONIT,is shakti ke saath ek zimmedari aati hai....pure bramhaand aur manushya jaati ki rakhwaali ki zimeedari...

personally hume kitni hi khushi ya gum kyun naa ho...par uske liye apne kartavya se mooh nahi moda jaata RONIT......

tujhe toh kal sirf ek rishta wapas mila tha....par ANJU ko toh ek saath kitne hi rishte wapas mil gaye the...

tere pyaar ka,apne maa baap ka,mere aur tere mom dad ke pyaar ka rishta....in sab khushiyon ke baawjud ANJU ko jo thoda time mila tha,usme bhi wo turant dhyan me baithi thi taaki apne kartavya ka paalan kar sake....

sochne ki baat hai naa,kyun RONIT......
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?



meri baat sun RONIT ko apne bhul ka ehsaas hua....



RONIT- sorry yaar..mujhe dhyan dena chahiye tha.....

MAI-aage se dhyan rakhna...aur abhi jo hua hai,wo khud pata laga....



meri baat sun RONIT turant jahan khada tha,wahin dhyan mudra me baith gaya...

apni sabhi indriyon ko jaga RONIT ne jaise hi khudko pure universe se joda,uski aankhen ek jhatke me khul gayi....

usse bhi wahi jhatka laga jo baaki sabko laga tha...



RONIT- ye sab kya hai????aisa alag raha hai maano universe ke saare jeeven deyi grah me ek saath kisi nakaratmak taakat ne ghera bana liya ho.....

MAI- hmm...issiki wajah jaanane ke liye ye sab yahan aaye hain...

par filhal mai aap sab ki jigyasa shaant karne me asamarth hun....

mujhe bhi aap sab ki hi tarah koi idea nahi hai ki ye nayi maaya aakhir hai kya?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





meri baat sun sabhi ko ek jhatka laga..kisi ko bhi mujhse yun negetive answer ki ummid nahi thi....



MAI- mai aap sab ki manodasha samajhta hun...par baat ye hai ki jis nakaratmak shakti ka bhed janane ke liye aap sab yahan aaye hain,usne khud ko ek point par laa kar chhupa liya hai...

aisa lag raha hai maano jisne bhi ye maaya rachi hai,usne khudko is SPELL ke asar se nikle us nakaratmak energy se kaat sa liya hai...

us nakaratmak energy ka power source pure bramhaand me failne ke baad band sa ho gaya hai...

aisa pratit ho raha hai maano usse koi mediator chahiye,khudko aage badhane ke liye...

aise halaat me mai kaise uske baare me pata laga sakta hun...haan,agar us nakaratmak shakti se bani chaadar me halki si bhi movement ho,hulchul ho,toh mai uske shroth ka pata laga usse nasht kar sakta hun...

tab tak mai ya aap sab kuch nahi kar sakte....



jahan ek taraf meri asamrthatha sunkar sabhi sad hue wahin ye sunkar ki kuch bhi galat ghatethe hi mujhe sab pata chal jaayega aur mai usse thik bhi kar dunga,sabko santosh hua...

mujhse ijazat lekar sabhi wapas apne apne sthaan ki taraf antardhyaan ho gaye.....



ANJALI- yaar tune bol toh diya par jo problem tujhe tak samajh me nahi aa rahi hai,wo koi choti baat toh hogi nahi....

MAI- jaanta hun...isiliye jahan jahan ye nakaratmak energy ne apna dera daala hai,maine har us jagah ko khudse jod liya hai....

RONIT- toh ab???

MAI- ab kya???yahan baithe baithe kya karenge...chalo,hum chaaron kahin ghum kar aate hain....

ANJALI- haan yaar,arsa beet gaya hum sabko ek saath hang out kiye hue...

aur aaj toh maza aayega..kyunki aaj hum sab sirf frnz ki tarah nahi balki 2 couples ki tarah ghumenge.....



ANJALI ki baat sun hum sab has diye....

RONIT- par chalen kahan???

MAI= jab lover ki tarah ghumna hai toh lovers point chalte hain.....

RONIT- haan bhai,ye sahi rahega.....wahin chalte hain...



kahan jaana hai tay kar hum sab neeche gaye.ghar waalon se permission lekar hum sab lovers point ki taraf nikal gaye......






PLACE-LOVER'S POINT





WOW YAAR,KYA NAZARA HAI.....



ek ghante ki drive ke baad hum sab jab LOVERS POINT pahunche toh baag aur us baag me lage rang birange phoolon ko dekh RONIT ke mooh se ye taarif nikli....



MAI- yahan pehli baar aa raha hai kya???beta nazara wahi hai aur hum bhi...

bas rishton ke maayno me ferbadal hua hai jis wajah se ye jagah aur khubsoorat lag rahi hai....

pehle jab tu yahan aata tha tab ANJALI sirf teri frn thi aur ab tere dil ki dhadkan hai...



RONIT- waise ye baat mai bhi tere baare me keh sakta hun....pehle AVNI bhi teri frn hi thi par ab teri G.F hai....

maayne toh tere relationship status ke bhi badle hain....



MAI-bilkul nahi..bhale hi pehle mai aur AVNI frnz the,par hum dono ke dilon ne ek dusre ko humare ikraar se pehle hi kubool kar liya tha....

aur hum dono hi tum dono ki tarah duffer bhi nahi the jo apne hi dilon ki awaaz ko nazarandaz karen...

hamari dosti me bhi ishq tha,mohobbat thi,pyar tha par tum dono ke mohobbat me bhi dosti thi....

RONIT- bas kar mere bhai...galti ho gayi jo maine compare kiya.....



RONIT ne haath jodte hue apni baat kahi jisse sun hum sab has diye....



RONIT- toh ab kis taraf chalen....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



MAI- oye itni jaldi bhul gaya kya??aaj hum as couple yahan aaye hain..isiliye tum dono apni khamoshi dhundo,hum dono apni...




AVANTIKA ka haath thaam uski aakhon me apna aks dekhte hue maine ye baat kahi jisse sun aur dekh AVANTIKA muskura uthi.....



ANJALI-le,ye dono toh abhi se ek dusre ki aankhon me doob gaye...chal RONIT,inhe akela chhod hum apna aashiyana dhhondte hain....



haste hue ANJALI aur RONIT ek taraf chal diye..wahin mai bhi AVANTIKA ka haath thaame dusri taraf nikal pada....



kuch der tak yunhi chalne ke baad jahan RONIT aur ANJALI ek fountain ke paas ki ghaans par baithe wahin mai aur AVANTIKA chalte hue ek khubsoorat ped ke paas pahunche jispar rang birange colour ke phool lage hue the....

hum dono wahi us ped ke neeche baith gaye.....



NOTE:-DONO COUPLES KE CONVERSATION ONE BY ONE LIKHI JAAYEGI:-





RONIT/ANJALI:-




ANJALI- aise kya dekh rahe ho.....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



RONIT- tere is khubsoorat chehre ko....pata hai ANJU,jab hum dono ne ek dusre ko propose kiya tab mujhe yakin hi nahi hua ki tu sach me meri ho gayi....

ye toh ek aisa sapna tha jo mere liye meri zindagi se bhi badhkar tha jo aakhirkaar sach ho gaya....

humare rishton ke maayne badle,ek dusre ko dekhna ka tarika badla,hum do hote hue bhi ek ho gaye....

zindagi itni khubsoorat ho jaayegi,ye kabhi socha hi nahi tha....par fir wo din aaya jab tujhe mujhse door kar diya gaya...

aur kudrat ka mazak dekh ki mujhe apni hi barbaadi ki khabar tak nahi thi...mai toh ek lambi behoshi me chala gaya tha..

jab utha tab pata chala ki meri rooh mere jism se alag ho chuki hai...aur mai jeete jee mar gaya...

saans toh le raha tha par zinda hun,ye ehsaas mar chuka tha....bas ek maksad tha ki jo mere saath hua hai,wo aur kisi ke saath naa ho....

mere is jasbaat is ehsaas ko mere BHAI ne samjha aur mujhe ek aise safar me le gaya jahan se mai apne maksad ko anjam dene ke laayak ban paata....

itna sab kuch hua...maine wo sab haasil kiya jo mujhe chahiye tha par tere jaane se jo khaalipan mere andar ghar bana gaya tha,wo waisa hi raha....

SHADOW WORLD toh mai is soch ke saath gaya tha ki apne maksad ki shuruat karunga par mujhe kya pata tha ki us maayavi planet me mujhe meri zindagi wapas mil jaayegi....

aaj tu mere saamne hai,pata hai aaj bhi mujhe wahi feel aa raha hai jo us din aaya tha jab hum dono ne ek dusre ko propose kiya tha....



kahin ye sapna toh nahi hai naa ANJU.....



ye bol ANJALI ko chhune ke liye RONIT ne apna haath badhaya maano wakayi usse touch karkar tasalli kar lena chahta ho ki sach me ANJALI zinda hai aur uske saamne hai...



RONIT ki hatheli ANJALI ke gaal ko sehlane lagi..ANJALI ne bhi apne gaal par RONIT ke haath ko daba sa liya....



ANJALI-hum dono ek ho jaayen,ye sapna sirf aapka nahi tha RONIT.....mera bhi tha....aur jab mujhe aapse alag kar diya gaya toh meri bhi zindagi ujad gayi thi....

aapke chehre ko apne aakhon me basaye is ummid ko jalaye hue ki ek din hum dono ek dusre se zaroor milenge,maine apne vanvaas ka har din kaata hai....

aaj jaise aapko mujhe apne saamne dekh kar bhi yakin nahi ho raha hai naa ki mai sach me aapke saamne hun,thik waisi hi feeling mujhe bhi aa rahi hai...

par mai jaanti hun ki hum dono saath hain..ye sach hai aur ye sach ab kabhi nahi badlega....



ANJALI ki baat sun RONIT muskura diya....



RONIT- waise tu mujhe aap kyun bol rahi hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




ANJALI-mujhe acha lagta hai...sabke saamne agar maine aaisa kaha toh hum dono ka sab mazak udayenge...isiliye akele mai mai aapko aap kehkar hi bulaungi....

aur aap mujhe tu hi kehna kyunki mujhe aapka waise mujhe bulana hi acha lagta hai....

ANJALI ki baat sun RONIT fir se muskura diya....



RONIT-I LUV U ANJU......

ANJALI-I LUV U TOO RONIT....



ishqe-izhaar ke baad ANJALI aur RONIT,dono hi aage badhte gaye aur dekhte hi dekhte dono ke lab aapas me jud chuke the....





VIKRAM/AVANTIKA





MAI-jo dil me hai,wo keh dena chahiye AV...

AVANTIKA-dil me toh tum ho...ab tumhe tumse kaise kahun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



MAI-ussi awaaz se jo dil ke dhadakne se nikalta hai...ussi awaaz me mujhe ek shikayat sunayi de rahi hai,mai ussiki baat kar raha hun....

AVANTIKA-sunayi de rahi hai ya tumne man padha hai mera?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



MAI-bilkul padha hai par apni heavenly shaktiyon ki madad se nahi balki apni spiritual shakti ki help se...

AVANTIKA- spiritual shakti!!!wo kya hota hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



MAI-MOHOBBAT......ye wo wire hai jiska connection directly aapke heart se hai...

issi connection se mujhtak ye feeling pahunchi hai ki aapke man me kuch chal raha hai....

AVANTIKA-jab feeling pahunch chuki hai toh fir puch kyun rahe ho???

MAI- kyunki sawal tumhara hai......puchna toh tumhe hi padega naa???



kuch der tak meri aankhon me dekhte rehne ke baad.....



AVANTIKA-kabhi kabhi mujhe dar lagta hai V.J.....jo bhi hua hai,aur jo bhi ho raha hai,wo ek aise raaste ke taraf le jaa raha hai jiske baare me tumhe tak kuch nahi pata....

mai jaanti hun ki tum har mushkil se nikalne me capable ho,par kabhi kabhi zyada kaabiliyat bhi nuksaan pahuncha deti hai....



mai ye bhi jaanti hun ki tum haar se nahi darte,par mujhe us haar se milne waali saza se dar lagta hai.....



jo ummid har kisiko tumse hai,mujhe us ummid se dar lagta hai...



har kisiko tumhari kaamiyaabi dikhti hai,par mujhe us kaamiyaabi ke liye tumhari di gayi keemat ke baare me soch kar dar lagta hai....



kisi ke liye tum dost ho toh kisi ke liye LORD OF ANGELS,par mere toh tum sab kuch ho V.J......mujhe is sab kuch ke kho jaane ka dar lagta hai....

bohot dar lagta hai mujhe....



aapni baat kehte waqt jo aansu AVANTIKA ke aankhon me thehre se hue the,wo aakhri labz kehte kehte apni seema laangte hue baahar chalak pade....

par iss pehle ki wo aansu neeche zamin par girte,maine unhe hawa me hi rok diya....



MAI-itni saari shikayaten apne andar lekar jee rahi ho tum aur kehti ho ki dil me sirf mai hi hun....

jaanti ho mujhe kisse dar lagta hai???in motiyon se jo tumhare aankhon se nikle hain.....

inke liye apni aakhon me jagah mat banaya karo AV...kyunki tumhare aankhon me aane waale ye aansu hi meri sabse badi haar hai.....



meri baat khatm khatm hote hue wo aansu jo maine hawa me roke hue the,wo gaayab ho gaye....

wahin meri baat sun AVANTIKA jhat se mere gale lag gayi.....



MAI-tum meri SHAKTI ho AV....bhale mai hi kyun naa kamzor padun,par tum kamzaor kabhi mat padna...

kyunki ek tum hi ho,jisse dekh mai bure se bure haalat se bhi ladhkar baahar aa sakta hun...

ab mai ek sawal puchun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





meri baat sun AVANTIKA mujhse alag hui aur mujhe dekhne lagi....



MAI-RONIT,ANJALI,AKSHAANT,SHAILA,MOKALSAR.....in sabko maine aloukik shaktiyan di par tumhe kabhi kuch nahi diya....

kya kabhi is baat se tum upset hui ho???kya kabhi tumhe laga ki tumhare paas bhi ye sab hona chahiye....



apne zimmedaariyon ko nibhaane ki wajah se maine tumhe kabhi theek se time nahi diya...

wo moments jo har couple ek dusre ke saath spend karte hain,maine tumhe wo khushi kabhi nahi di.....

kya kabhi is baat se tumhe taklif nahi hui?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





meri baat sun AVANTIKA muskura di....



AVANTIKA- shaktiyan???jo shaktiyan tumne tumhare doston ko di hai,wo isiliye di kyunki unhe uski zaroorat thi taaki wo apni jung khud lad saken...

par meri toh har jung tumhari hi hai...tumhari beshumaar powers kahin na kahin meri bhi milkiyat hai...

jab tumse tumhare BHAI ne tumhari pehchaan cheeni thi tab wo pehchaan tumhare doston ke paas nahi mere paas thi..

aaj bhi itni shaktiyan haasil karne ke baad bhi tumhare kisi bhi dost me itni taaqat nahi ki tumhari shaktiyan sambhal sake par mai ye kar sakti hun wo bhi bina kisi shakti ke....

jab bina koi power mile mujhe aise aise adhikar mile hain jo aur kisiko nahi mil sakte toh fir mai udaas kyun rahun....

aur rahi baat tumhari mujhe time nahi dene ki toh janab,



ISHQ KIYA HAI AAPSE,KOI SOUDA NAHI JINME SHARTE LAAGU HO.....



tum mere andar mujhse zyada ho V.J....meri rag rag me khoon se zyada tumhari MOHOBBAT behti hai...

aur tumhe aisa kyun lagta hai ki tum mujhe waqt nahi dete....



NAA TUM SIRF TUM HO,AUR NAA MAI SIRF MAI HUN...TUMME TUMHARE SAATH MAI HUN AUR MUJHME MERE SAATH TUM HO....

AUR JAB MAI AUR TUM MILKAR "HUM" BAN JAATA HAI,TOH RISHTA WAQT KA MOHTAAJ NAHI HOTA....



aaj shayad pehli baat AVANTIKA ki baat ya fir ye kahun ki uski FEELING uske andar se puri tarah baahar aayi thi jisse sun mujhe aisa laga maano mere andar ki aatm glaani ke registaan par baarish ki bouchaar ho gayi ho.......

MAI- par fir bhi mai tumhe kuch dena chahta hun..aur wo hai WAADA...mai tumse waada karta hun AV ki mai tumhari har wish puri karunga. .

Bhale hi usse pura karne ke liye mujhe kuch bhi kyun naa karna pade,par mai karunga...

Meri baat sun AVANTIKA bas halke se muskura di.....



MAI-I LUV U AV.......

AVANTIKA-I LUV U MORE V.J......



izhaare ishq ke baad lab khaamosh toh hue par unki tadap badh gayi jisse mitane ka ek hi tarika tha aur isiliye....



mai aur AVANTIKA aage jhukte chale gaye aur agle hi pal hum dono ke labon ne ek dusre ko apna liya tha.....



kitne pal beete pata hi nai chala aur shayad aage bhi pata nahi chalta par tabhi......



ek zor ke jhatka mujhe laga jiske lagte hi mai turant AVANTIKA se alag ho gaya...

mujhe yun jhatka lagte dekh AVANTIKA hairan reh gayi....

aur jab uski aankhen mere chehre par padi toh uski hairaani aur badh gayi....



reason....mere ankhon me is waqt itna shock tha jo aaj tak kabhi bhi nahi aaya tha...

mai kuch keh hi nahi paa raha tha..bas chehre par shock ke expressions liye ek tak shunya me ghure jaa raha tha....

kuch der tak wait karne ke baad bhi jab mere expressions nahi badle,toh AVANTIKA ne mere kandhe ko jhanjhora tab kahin jaakar mai apne present me wapas aaya....



AVANTIKA-kya hua hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



MAI- hume turant ghar ke liye nikalna hoga....



maine AVANTIKA ek sawal ko gol kar apni baat kahi..AVANTIKA ne bhi fir dobara kuch nahi kaha aur hum dono khade ho gaye...



MAI man me-ANJALI,RONIT,tuarnt entrance gate par pahuncho....



ANJALI aur RONIT jo abhi bhi kiss kar rahe the,un dono ke dimag me jaise hi meri awaaz gunji,toh dono ko hi jhatka sa laga aur dono turant alag ho gaye...

meri awaaz me jo hadbadi thi,wo dono hi bhaamp gaye the,isiliye bina kuch kahe hi dono turant uthe aur entrace gate ki taraf badh gaye.....



ANJALI- kya baat hai V.J????kuch hua hai kya???



entrace par aate hi ANJALI ne mujhse pucha...



MAI-ghar chalo..pata chal jaayega....



ye bol mai parking ki taraf tezi se badh gaya.....



mere peeche peeche hi teeno bhi hairan pareshan se aane lage...

sabke car me baiththe hi maine car ghar ki taraf douda di...

mere ghar me sab pata chal jaayega bolne ki wajah se kisi ne bhi raaste me mujhse kuch nahi pucha....par sabhi ke chehre par pareshani ke bhaav ab bhi the....

raaste me mujhe ek call aaya jo meri mom ka tha..maine call uthaya..saamne se kuch kaha gaya jisse sun mai turant aa raha hun kehkar maine call kaat diya....





PLACE-MINAKSHI MANSION




ARRE,HUM DONO KE PARENTS TOH AB TAK YAHIN PAR HAIN...PAR YE SAB ITNE SERIOUS KYUN LAG RAHE HAIN....



ghar me enter hote hi RONIT ne apni baat kahi....

MAI- thodi der rook,sab pata chal jaayega........



ye bol mai thoda aur aage badha aur...



MAI-DAD......



meri awaaz sun dad aur unke saath saath sabki nazar hum chaaron par padi...ab tak mai sofe ke paas pahunch chuka tha...



MAI- are u alright dad????mom ne bataya ki aapka accident hua hai???


DAD- tum bhi na MINU...bacche ghumne gaye the,tumne bekaar me hi in sab ko panic kar diya...

i'm good beta...wo highway egde par car zara zyada skeet kar gayi...saamne ke dono tyre burst ho gaye par mujhe kuch nahi hua but haan hamare driver ko thodi chot aayi hai...



wo sab chhodo,inse milo.....inhone meri bohot help ki...jab humara accident hua toh inki car wahi se paas ho rahi thi...

humara accident hote dekh inhone apne driver se bol hamare driver ko hospital pahunchwaya aur mujhe yahan ghar tak lift bhi kar diya....



UNKNOWN-UNCLE,aap mujhe badon jaise INHONE kyun keh rahe hain..mai bhi aapke bete ki hi tarah hun..infact aapko toh maine similarity bhi batayi hai...

DAD- arre haan....pata hai VICKY,ye greece me paida hua hai par iske mom dad indain hain aur sabse kamaal ki baat ye hai ki iske dad naam bhi JAIRAJ SINGH hai aur mom ka naam MINAKSHI SINGH...hai naa kamaal ka ittefaaq....

aur is young lad ka naam hai....



UNKNOWN- mai apna intro khud dunga....waise aapka naam toh ab tak mujhe pata chal hi chuka hai. ..VIKRAM right!!!.....and me......




HI,MY NAME IS...... "ASMODEUS"......


 
Member
278
52
28
FINAL CHAPTER






(ANGELS SACRIFICE & DEVILS DEMOLITION)





MEGA BLACK UPDATE-114






PLACE-HEAVEN






YE SAB KYA HAI????ASMODEUS WO BHI LORD KE GHAR ME......AISA DUSSAHAS KARNE KI WO SOCH BHI KAISE SAKTA HAI???

S.T CECILIA....AAP BHUL RAHIN HAI KI WO KAUN HAI????MAANE YA NAA MAANE,PAR WO BHI PARMESHWAR PUTR HAI...

BAL ME VIKRAM JITNA HI SHAKTISHALI KINTU CHHAL ME LORD SE BHI ZYADA CHALTA HAI USKA DIMAG....

PAR SAWAL AAPKA APNI JAGAH PAR BILKUL UCCHIT HAI....AAKHIR ASMODEUS KA LORD KE GHAR ME AANE KA KYA PRAYOJAN HO SAKTA HAI....



S.T CECILIA ki baat ko S.T ALFRICK ne aage badhaya par is beech S.T SEBASTIAN ekdam shant rahe....

jaise unhone in dono ki baat suni hi naa ho...wo apne hi kisi dimagi manthan me vyast lag rahe the....

wahin apni apni baat keh jab S.T CECILIA aur S.T ALFRICK ka dhyan S.T SEBASTIAN par gaya toh undono ne bhi unhe gehri soch me dube paaya....



S.T CECILIA-S.T SEBASTIAN.....!!!!!!



apna naam sun S.T SEBASTIAN jaise achanak apni soch se baahar aaye..apni soch se baahar aa unki nazar S.T CECILIA par theher gayi....



S.T CECILIA-aap kis soch me khoye hue hain????


S.T SEBASTIAN-ussi soch me jiski baat aap dono kar rahe hain kintu....

S.T ALFRICK-kintu kya???

S.T SEBASTIAN- mai kuch aur bhi soch raha tha....kya aapko ye baat ajeeb nahi lagi ki hum sabko kaafi der se kisi nakaratmak shakti ka abhaas bramhaand ke samast jeeven deyi grah par ho raha tha jiske baare me hum pata bhi nahi laga paa rahe the aur issi vichitr sthithi ke dauran ASMODEUS ka LORD ke ghar par aagaman hua hai....

kya aapko lagta hai ki ye saari baatein kewal ek sanjog ho sakti hai???

ST CECILIA- aapka sahi keh rahe hain S.T SEBASTIAN....in dono ghatnao ka ek saath hona koi sanjog nahi ho sakta....

S.T ALFRICK- par agar ye sanjog nahi hai toh fir hai kya???kya karne ki soch raha hai ASMODEUS.....????

S.T SEBASTIAN-ye toh sirf khud ASMODEUS hi bata sakta hai jo wo batayega nahi....

bas itna kaha jaa sakta hai ki jo bhi hone waala hai,wo kisine bhi socha tak nahi hoga....

kuch anisht,bohot bada anisht hone waala hai.....



S.T SEBASTIAN ki baat sun dono MESSENGERS bohot zyada tention me aa gaye.....



S.T ALFRICK- bhale hi hum teeno ko apni jaan hi kyun naa deni pade,kintu hum ASMODEUS ko apni chaal me kaamiyab nahi hone denge....

S.T CECILA-aap thik keh rahe hain S.T ALFRICK....hum teeno turant prithvi ke liye prasthan karte hain aur har waqt hamesha ASMODEUS ke aas paas hi rahenge...

hum teeno ko apne aas paas dekh ASMODEUS jis bhi jaal ko bun raha hai,usse chhod hum teeno se yudh karne me lag jaayega....

aise me shayad uska bichaya maaya jaal toot jaaye...aap kya kehte hain S.T SEBASTIAN????



isse pehle ki S.T SEBASTIAN kuch kehte......



AAP TEENO KAHIN NAHI JAA RAHE HAIN....



jaise hi ye awaaz teeno MESSENGERS ke kaano me gunji,teeno ke haath judte chale gaye aur teeno turant apne apne ghutno par aa gaye....

aana hi tha,kyunki ye awaaz aur kisi ki nahi balki GOD ki thi....



GOD-AAPKO BHI PATA HAI KI AAP TEENO MILKAR BHI ASMODEUS KA SAAMNA NAHI KAR SAKTE...

PHIR YE HAASYAPAD NIRNAY KIS AADHAR PAR LIYA AAPNE....

MAINE APNE EK BETE KE LIYE APNE DUSRE BETE KO BHEJA HAI...ASMODEUS KA SAAMNA KARNE KA SAAMARTHYA AUR KARTAVYA,SIRF AUR SIRF VIKRAM KA HAI....

AAP TEENO WAHI KAARYA KIJIYE JISSE KARNE KA AADESH AAPKO MILA HAI...YE KAHANI IN DO BHAIYON KI HAI AUR SAMAY AA GAYA HAI JAB YE DONO IS KAHANI KO ISKE ANJAAM TAK PAHUNCHAYENGE....

S.T SEBASTIAN-HEY PARAM PITAH PARMESHWAR...kya hum kuch puch sakte hain????

GOD-AAP YAHI JAANANA CHAHTE HAIN NAA KI KIS UDDESHYA KI PURTI HETU ASMODEUS VIKRAM KE PAAS GAYA HAI????

S.T SEBASTIAN-jee PARAM PITAH....aakhir kya chahiye ASMODEUS ko LORD se???

GOD-BALIDAAN.......



GOD ki baat sun teeno MEESENGERS shocked ho gaye....



S.T SEBASTIAN-BALIDAAN????kaisa BALIDAAN????



GOD-SWAYAM KA YA BRAMHAAND KA......







PLANET-EARTH





PLACE-LONAVLA FARM HOUSE





WAISE DAD EK BAAT TOH MANANA PADEGA....AGE KA AAPKE BODY KE UPAR KOI KHAAS FARK PADA NAHI HAI..AAP AAJ BHI KISI YOUNG BANDE KI HI TARAH FIT HAIN....

ARRE BETA,JAB WIFE ITNI BEAUTIFUL HO JISSE DEKH AAJ BHI LOG USKA PICHA KAREN,AAHEN BHARE,TOH FIR BAAT COMPETITION KI AA JAATI HAI...

AISE ME KHUD KO FIT TOH RAKHNA HI PADEGA NAA.....

AAP BHI NAA KUCH BHI BOL DETE HO....KABHI TOH SAMJHA KARO KI AB AAPKI UMR NAHI RAHI YUN KHULEAAM FLIRT KARNE KI...

ARRE KYA BAAT KAR RAHIN HAIN MOM..U SHOULD TOH FEEL LUCKY JO AAPKO AISE HUSBAND MILE HAIN JO SHAADI KE ITNE SAALON BAAD BHI AAPSE APNE DIL KI BAAT KHULLE AAM KARTE HAIN....

KITNE COUPLE HONGE JO AISA KAR PAATE HONGE????



is baat par sabhi ne sehmati jatayi...



LONAVLA....MUMBAI jaise bheed bhare sheher se kuch 83 km door pahaodon ke saaye me basi ek khubsoorat jagah..

aur issi khubsoorat jagah ke beech bani ek khubsoorat farmhouse jo ki hamari hi mikliyat hai aur jahan is waqt hum teeno friends aur hamari families is waqt 2 din ke holiday ke liye aaye hue hain...

darasal 3 din ke back to back meetings ke baad dad aur uncles ka 2 din off tha...

in do dino ke off ko khaas banane ke liye sabne LONAVLA jaane ki baat kahi aur hence hum sab yahan hain....

baat se yaad aaya jo conversation filhal hui jisme ek bande ne JAIRAJ aur MINAKSHI ko dad aur mom lafz se sambhodit kiya,wo MAI nahi tha balki ASMODEUS tha...

darasal ASMODEUS ne mere mom aur dad se kaha tha ki uske bhi mom dad ka naam JAIRAJ SINGH aur MINAKSHI SINGH hai..

itna hi nahi,usne ye bhi kaha ki mere mom dad usse uske mom dad ki yaad dilate hain...

aur isiliye kya wo mere mom dad ko mom aur dad ko dad kekhakar bula sakta hai???



ASMODEUS ki baat sun mere mom dad khush ho gaye aur khaas kar mom...

reason...simple hai bhai,jis bande ne unke suhag ke accident ke waqt unki help ki,wo toh unhe pyaara lagega hi....

upar se kamina hai toh mera hi bhai..is wajah se saale se vibe bhi meri hi tarah aati hai jo mere mom dad ko bhi feel hui jis wajah se unhe bhi ASMODEUS naamak jantu me mai dikhne laga tha....



RONIT- bhai,tere saath rehkar
na jaane kitne hi jhatke dekhe aur jhelen hain...par is baar jo jhatka laga hai waisa jhatka aaj tak nahi mila.....

tera ye khurapaati bhai achanak se hamare ghar me prakat hota hai....uske baad hamare gharwaale isse hamare saath yahan holiday manane ke liye invite karte hain jisse ye khushi khushi maan leta hai....

phir janab tere mom dad ko apne mom dad kehkar bulane lagte hain....saala ye sab chal kya raha hai....???

ANJALI- sabse bada jhatka ye nahi hai RONIT...sabse badda jhatka hai iski yahan aane ki timing...

tumhe ye ajeeb nahi lagta ki jab pure universe me achanak hi ek negetive energy ki chaadar prakat ho gayi ho thik ussi waqt ASMODEUS yahan humare saamne aaya hai...

i mean abhi hi kyun ye yahan aaya hai jabki agar ye sab isne kiya hai jo ki mai sure hun ki ki ye sab issi ka kiya dhara hai,toh aise me toh isse V.J se bohot door chale jaana chahiye taaki V.J chahkar bhi iske jhol ka pata naa laga paaye par ye toh ulta kar raha hai...

ye khud yahan V.J ke saamne hai aur ye yunhi nahi ho sakta....zaroor kuch na kuch toh iske dimag me chal raha hai...

RONIT- ye bhi toh ho sakta hai ki ye hamara mazak udane aur apni jeet ka jash manane yahan aaya ho..

isse ye baat pata ho ki hum iske maaya jaal ko nahi samajh paa rahe hain aur isiliye hume neecha dikhane yahan aaya ho...

MAI- ASMODEUS unme se hai jinhe manzil se zyada safar me maza aata hai aur aise log kabhi bhi dusre ke haar par unhe chidhate nahi hain.....isse sirf apni jeet se matlab hai saamne waale ki haar se nahi....

AVANTIKA-V.J,jab se ASMODEUS aaya hai tum chup se ho gaye ho...kya tumhe pata chal chuka hai ki iske yahan aane ka maksad kya hai???

MAI- agar pata chal chuka hota toh ab tak mai sab thik kar chuka hota....mai toh bas us chiz ko dekhne ki koshish kar raha hun jo mere aankhon ke saamne hote hue bhi invisible hai....

us lekhani ko padhne ki koshish me hun jo saaf saaf likha hua hai par fir bhi samajh me nahi aa raha....

us hawa ko mehsoos karne ki koshish kar raha hun jo mere andar toh jaa rahi hai,par bina mujhe chhue hue....



ARRE AISA KAUN SA GAME KHEL RAHE HO BHAI JO HUMARE SAATH BAITHNE TAK KI FURSAT NAHI HAI TUMHARE PAAS.....



abhi hummese koi kuch kehta usse pehle hi ye awaaz aayi jo aur kisi ki nahi ASMODEUS ki thi...

apni baat keh dad se permission le wo meri taraf badha wahin uske meri taraf aate waqt...



MOM-pata nahi kyun par isse dekhte waqt aisa lagta hai jaise mai VICKY ko hi dekh rahi hun.....

DAD-mujhe bhi same feeling aati hai...aisa lagta hai jaise ye aur VICKY siblings hon....



wahan mom aur dad ASMODEUS ko jo ki mera hi BHAI hai,usse apni samajh se mera BHAI banane par tule hue the aur yahan...



ASMODEUS-kya hua BHAI....kuch waqt humare saath bhi bitalo...kya pata fir mouka mile naa mile,aur agar mile bhi,toh shayad aalam itne khushgawar naa ho....

RONIT- oye dialogue ke dukaan...pehle tu ye bata aur sidhe sidhe bata ki yahan aaya kyun hai....????



ab saale is RONIT ka mai karu toh kya karun.....??ek number ka mooh fat hai ye...zara sa bhi nahi sochta ki saamne kaun khada hai...???

jis lihaz se RONIT ne ASMODEUS se baat ki thi,shayad aur kisi ne ki hoti toh uski rooh uske jism se ab tak alag ho chuki hoti...



ASMODEUS-jab pata ho ki tum us kile ke andar ho jo bramhaand ke sabse bade tufaan ko bhi jhel sakta hai toh aksar ghamand aa jaata hai....

par tumhe ye nahi bhulna chahiye ki bhaade ki zindagi par itraya nahi karte...naajane kab zindagi mout ke hawale ho jaaye...

MAI-kiraye ke makaano me rehne waale logon ko achanak nikaale jaane ka dar rehta hai...

jiska khudka makan ho,usse kaisa dar...jahaz kitna hi bada kyun naa ho,samandar me uththi leheron se khatra usse hi rehta hai,samandar ke andar basne waali choti choti machliyon ko nahi....

RONIT wahi machli hai jo mere samandar me hai...mere rehte usse kaisa khatra..khatra toh tum jaise bade jahaz ko hai...hamari lehro se zara bachke rehna...pata nahi isme kab doob jaao...

ASMODEUS- jahaz ko samandar ki leheron se kitna hi khatra kyun naa ho,par jahaz banti samandar ke liye hi hai mere bhai...

aur rahi baat doobne ki toh jahaz dubega ya nahi,ye jahaz par nahi balki us jahaz ko chalane waale ki hunar par nirbhar karta hai...

aur jis jahaz ko ASMODEUS chala raha ho,usse dubone ki gurbat kisi samandar me nahi....

MAI- pata hai SHER apne jungle ka raaja hota hai...par sirf tab tak jab tak usse khunkhaar sher us jungle me apne panje nahi jamata...

mousam,fitrat aur TAQHT,teeno ko hi badalne me WAQT nahi lagta mere BHAI....

ASMODEUS-WAQT.....WAQT se yaad aaya ki WAQT aa gaya hai....

nahi samjhe,samjhata hun......



mujhe yahan apni family ke beech dekh jo uthal puthal tumhare man me chal rahi hai,jo sawal tumhare dimag me ghar kiye baithe hain,un sawalon ke jawab milne ka WAQT AA GAYA HAI....

naa sirf jawab milne ka,par un jawabon se jo chizen saamne aayengi,tumhara unse saamna karne ka WAQT AA GAYA HAI....

naa sirf saamna karne ka,balki saamna karne ke baad aakhir me jab asliyat tumhare saamne hogi,toh us asliyat par apne faisle ka mohar lagane ka WAQT AA GAYA HAI....

MERE BHAI,WAQT AA GAYA HAI.....



ASMODEUS ki baat sunte waqt mere chehre par koi expressions nahi the par mera dil,mere dimag dono me hi is waqt bhuchaal sa aaya hua tha....

mujhe pata toh nahi tha ki kya hone waala hai,par andaza zaroor ho gaya tha ki jo bhi hoga,wo meri soch se bhi upar aur khatarnaak hone waala hai....

yahan mai apni soch me goom tha par tabhi.......



KADKADKADKAD.................



ek zordaar bijli ki awaaz hum sabke kaano me gunji...ye awaaz normal se bohot zyada tez thi jisse sun jahan ek taraf RONIT,ANJALI aur AVANTIKA shocked hue wahin mere ghar waale halka dar se gaye the.....

yun achanak itni zor ke bijli ke kadakne se jahan ek taraf sabhi ke chehron par dar aur shock ke reactions the wahin ASMODEUS mand mand muskura raha tha....



MOM-VICKY,ANJU,RONIT,AVNI,ASMODEUS beta yahan aao....



sabhi apni apni sochon me goom the ki tabhi mom ne hum sabko apne paas bulaya....

hum sab bhi jahan saare gharwaale baithe the,us taraf chal pade....



DAD- ye achanak kya hua??aaj toh mousam kaafi saaf hai naa....fir ye achanak bijli kahan se kadak gayi....

MOM- aur wo bhi itni tez..maine aaj tak itni zor ki bijli kadakte kabhi bhi nahi suna hai...

yun achanak itni tez bijli ki kadakne ki wajah se sabhi gharwaale apni apni pratikriya de hi rahe the ki tabhi.....



mujhe ek zor ka jhatka laga...ye jhatka sirf mujhe hi nahi balki mere saath saath ANJALI aur RONIT ko bhi laga tha....

ek dusre ke chehre ko dekhte hue humne turant is jhatke ke kaaran ke paas jaan ka faisla kiya aur....



MAI- mom,hum upar room me hain....

MOM- beta,ASMODEUS ko bhi le jaao..yahan humare saath rehkar bore ho jaayega....



jahan ek taraf mom ki baat sun ANJALI aur RONIT ke chehre par tention ke bhaav ubhre wahin ASMODEUS ke chehre par smile aa gayi...



abhi mai mom ki baat ke liye kuch kehta ki tabhi....



ASMODEUS- nahi mom..mai yahan aap logon ke saath hi rahunga....



ASMODEUS ki baat sun mujhe kuch atpatta laga...mujhe laga tha ki wo hume akele kahin jaane nahi dega par yahan toh ulta ho gaya par filhal jo ho raha tha,usse nipatna zyada zaroori tha isiliye...



MAI- lets go guyzzzz......



hum sab upar waale room ki taraf badh chale.....

upar chalte waqt mujhe ek khayal aaya par maine us khayal ko apne dimag se jhatak diya....



AVANTIKA- kya hua guyzz??tum sab itne tention me kyun ho???

ANJALI- wo BLACK ENERGY ki chaadar yaad hai jo kuch dino se pure universe me faile si gayi hai par dikh nahi rahi.....

AVANTIKA- haan.par uska kya???

ANJALI- ISLA me wo ENERGY active ho gayi hai....

V.J ne pure grah me apne shields bichayen hain,jiski wajah se wo BLACK ENERGY aage nahi badh paa rahi par.....

AVANTIKA- par kya???

RONIT- par iska ek negetive effect hua hai.....us negetive ENERGY ka effect itna zyada hai ki V.J ki shield se takrane ke baad uske kan vibrate ho rahe hain jiska asar ISLA ke zamin par ho raha hai....

us NEGETIVE ENERGY ke saath saath ab wahan ki zamin par bhi vibrations hone lage hain....

agar kuch der aur aisa chalta raha toh pure ISLA ko zor ke jhatke lagne lagenge..

wahan ki zamin ke neeche jo laava hai,wo fatkar baahar aa jayega..wahan par jo floating mountains hain,wo bhi asthir hokar neeche gir jaayenge jisse bohot zyada nuksaan hoga....

in short,jo ho raha hai,agar usse roka nahi gaya,toh ISLA bas kuch hi der me khatm ho jaayega.....



ANJALI ki baat sun AVANTIKA ko zor ka jhatka laga..jitna usne ya fir hum sabne anticipate kiya tha,ye toh usse bhi zyada khatarnaak tha...

bhale hi is waqt sirf ek grah khatre me tha,par ASMODEUS ne toh same haalaat universe ke har PLANET me kar rakhe the....

ASMODEUS ne sahi hi kaha tha..jo sawal mere dimag me chal rahe the,finnaly mujhe unke kuch bhaagon ka jawab mil gaya tha aur naahi sirf jawab mila tha,balki jaisa ki ASMODEUS ne kaha tha,hamara un jawabon ka saamna karne ka WAQT BHI AA CHUKA THA.....



MAI-AV,tum yahin rooko...hum ISLA ke haalat ko theek karke aate hain...



AVANTIKA ko sab bata hum teeno gayab ho chuke the.....






PLANET- ISLA





PLACE-FLOATING MOUNTAIN







YE KAISI MAAYA HAI????MAI IS KAMPAN KO PURI TARAH SE ROK KYUN NAHI PAA RAHA HUN.....

MERE UCCHARIT KIYE HUE HAR MANTRA KA ASAR TOH IN PAHADON PAR HO RAHA HAI,PAR KEWAL KUCH HI SHAN KE LIYE....

KUCH SHAN PASHCHAT MERE MANTRO KA PRABHAV APNE AAP HI KHATM HO JAA RAHA HAI.....

AGAR AISA HI CHALTA RAHA,YE KAMPAN YUNHI HOTE RAHE TOH SIRF KUCH WAQT KI BAAT HAI,YE PAHAD IN KAMPAN KO BARDASHT NAHI KAR PAAYENGE AUR NEECHE GIR JAAYENGE...

AUR AGAR AISA HUA TOH.....NAHI NAHI,MAI AISA NAHI HONE DE SAKTA....EK BAAR AUR PRAYAS KARKE DEKHTA HUN....



ye bol DEFENDER jaise hi apna agle SPELL bolne ko hue....



KOI FAAYDA NAHI HOGA......AAP IS KAMPAN KO NAHI ROK PAAYENGE.....



jaise hi ye awaaz DEFENDER ke kaano me gunji,DEFENDER ke chehre par ek muskurahat naach gayi....

awaaz ke gunjne ke agle hi second DEFENDER ke saamne ek tez roshni hui aur us roshni ke beech me se mai,ANJALI aur RONIT prakat hue....



MAI- khade ho jaayiye DEFENDER....

DEFENDER-LORD,jis adrishya shakti ne samast bramhaand ko ghere hue tha,aakhirkaar usne aage badhna aarambh kar diya hai.....

maine isse rokne ki bohot koshish ki,kintu mai bas kuch pal ke liye hi kaamiyab ho paaya.....

kuch der tak rookne ke baad ye mere mantron ko viphal kar rahi hai....

MAI- iska kaaran mere dwara bichaya gaya SHIELD hai....wo adrishya shakti mere SHIELD se chipak usse dhakka dene ki koshish kar rahi hai..

wo isme kaamiyab toh nahi ho paa rahi kintu meri SHIELD aur us nakaratmak shakti ke takrane ki wajah se ye kampan ho rahi hai....




BOOM........



abhi koi kuch kehta ki tabhi hamare uttari bhaag se is dhamake ki awaaz aayi jisse sun DEFENDER aur mere dono dost chownke....



MAI- kampan sirf in pahadon me hi nahi ho raha hai,balki zamin ke andar bhi ho raha hai....

ussi kampan ke fal swaroop yahan se uttari kshetra me jo van hai,wahan LAVA fata hai...

aap sab shighr wahan pahunche aur us LAVA ko roken....

anyatha agar us laava ne us van me moujud vriksho ko chhua,toh pura jungle aag ki chapet me aa jayega....



meri baat sun RONIT,ANJALI aur DEFENDER teeno gayab ho gaye.....



MAI- ab in vibrations ka kya karun????inhe jad se mitane ke liye mujhe pehle apne SHIELD ko hatana hoga....

par uske baad mujhe kuch seconds toh kamsekam chahiye hi honge is NEGETIVE ENERGY ko khatm karne ke liye...

agar is dauran ye har taraf faile gayi toh isse khatm karne ke chakkar me pura ISLA khatm ho jaayega.....

ye toh acha hai ki ab tak ye jo kuch bhi ho raha hai,ye yahan ke logon ke rehwasi ilakon se door ho raha hai..

warna ab tak toh pure ISLA me hadkamp mach jaata.....





WAHIN JUNGLE ME:-





RONIT- arre,ye LAVA toh badi tezi se aage badh raha hai....

ANJALI- haan,aisa lag raha hai maano isse koi dhakka de raha hai...

RONIT-aur koi kya,iske piche bhi wahi NEGETIVE ENERGY hogi....

DEFENDER- haan,par ek baat achi hai aur wo ye ki ab tak ye lava jis jagah par hain,wahan sirf chote chote poudhe aur ghaans hai...

isiliye van ko koi khaas haani ab tak nahi pahunchi hai...

ANJALI- ye bas kuch samay ki hi baat hai...jis tezi aur teevrata se ye LAVA aage badh raha hai,kuch hi palon me ye is jungle ke mukhya bhaag yaani ghane area me hoga aur agar aisa hua toh yahan kuch bhi nahi bachega...

isiliye hume jo bhi karna hai,wo turant karna hoga....

RONIT- ek kaam karta hun,mai is jagah par baarish karwata hun....

ANJALI-idea toh thik hai par utne se kaam nahi hoga...saath me kuch aur bhi lagega....

haan,ek kaam karti hun,jo paani girega,mai usme chakrawat paida karti hun....

us chakrawat ki shakti se baarish ka prabhav aur badh jaayega jisse wo lava ko apne andar kheench legi....

DEFENDER-jaise hi tum RONIT ke dwara girayi baarish me chakrawat paida karogi,aur wo chakrawat laava se takrayegi,toh mujhe pura vishwas hai ki us laava ke saath saath chal rahe NAKARATMAK URJA me bhi badlav aayega...

ho sakta hai ki wo laava ko aniyantrit karde...isiliye mai uske aas paas ke sabhi jagahon par apni SHIELD bicha dunga....isse aniyantrit hone ke baawjud bhi wo urja kuch kar nahi paayegi....

RONIT- haan,ye theek rahega..lets do it guyz....



ye bol........



PRACHAND VARSHA KAROTI

FIERY RAIN FALL




ye SPELL RONIT ne kaha tha..SPELL ke uccharit hote hi upar aasman me ek tez garjana hui aur agle hi pal sirf us area me jahan laava faila hua tha,tez baarish hone lagi....

jaise hi baarish ne raftar pakdi....





CHAKRAWAT AVIRBHAVATI

WHIRLWIND APPEAR





ye SPELL ANJALI ne kaha tha...SPELL ke uccharit hote hi RONIT dwara barsayi gayi baarish ke ird gird ek chakrawat ne janm lena shuru kiya aur kuch hi palon me us chakrawaat ne ugr yaani intense roop le liya...

us chakrawat ne khudko paani me lapetna shuru kar diya aur dekhte hi dekhte us paani se bhare chakrawaat ne pure laava ko khudme sokhna shuru kar diya.....

ab baari thi DEFENDER ki aur isiliye.....




CARMIKYA

SHIEILD THATS BOUND WITH A DUTY




DEFENDER ke SPELL uccharit karte hi ANJALI dwara banaye gaye chakrawaat ke chaaro taraf ek SHIELD ban gayi jiska ye matlab tha ki wo laava aur us laava se juda hua wo NEGETIVE ENERGY ab fas chuke the.....

kuch pal tak bheeshan baarish hoti rahi jis me baras rahe paani ko khudme chipka wo chakrawat laava ko sametne hue ek jagah par ghumta raha....

kuch waqt tak ye sab chalta raha aur fir dekhte hi dekhte wo laava khatm hone laga aur kuch hi palon me us van me sirf barsaat aur chakravaat hi tha,laava khatm ho chuka tha....



ANJALI/RONIT-YESSSSS...........

MANTRA SAMAPTAM

SPELL.OVER.....

ANJALI aur RONIT ne ye SPELL saath bola jiske uccharit hote hi baarish aur chakrawaat khatm ho gaye...




DEFENDER- bohot khub.......kaafi achi yukti sochi thi tum dono ne....

ANJALI/RONIT- dhanyawaad......


ye bol teeno wapas gayab ho gaye.....






BACK TO HERO:-



ANGELS..........




mere man hi man aisa kehte hi kuch ANGELS mere aage prakat hue.....



MAI-mai apne SHIELD ko hatane jaa raha hun...jab aisa hoga tab uske piche chhupi nakaratmak urja tezi se har taraf failne lagegi....

isiliye mere SHIELD ke hatathe hi aap sabko apni shakti se us nakaratmak urja ko kuch pal tak roke rakhna hai.....

ANGELS-ji LORD......



ANGELS ko unka kaam samjhakar maine ek pal ke liye apni SHIELD ko dekha aur agle hi pal....




KAWACH PRANAZYATI

SHIELD VANISH......



mere SPELL uccharit karte hi meri SHIELD gayab ho gayi aur tabhi.....

wo nakartmak shakti jisse meri SHIELD ne rok rakha tha,wo azaad ho gayi jis wajah se wo har taraf failne lagi par tabhi......

mere aas paa khade ANGELS ne apne apne haath aage kiye....

unke aisa karte hi un sabke haathon se tez WHITE ENERGY ki rays nikalkar us NEGETIVE ENERGY se takrayi....

par itna kaafi nahi tha.....ANGELS ke chhode gaye rays se wo NEGETIVE ENERGY dheere toh hui par rooki nahi...aur isiliye.....







PARYAVASYATI VIBJUTI VIMUKTI

COMPLETE POWER RELEASE




ANGELS ne is SPELL ka ek saath uccharan kiya aur unke aisa karte hi...

saare ANGELS ke haath ke saath saath unke saare sharir se rays nikalne lagi jo asal me unki puri urja thi...

wo saari rays ek saath aage badhte hue unke saamne khade us NEGETIVE ENERGY se takrayi aur aisa hote hi ek saath do chizen hui....



pehli.....wo NEGETIVE ENEGRY ek jagah par rook gayi....



dusri....us NEGETIVE ENERGY ka kuch bhaag mere ANGELS ke chhode gaye rays se bandhkar ANGELS ko bhi chhune laga jis wajah se jaise kuch der pehle tak FLOATING MOUNTAINS vibrate kar rahe the,thik waise hi ab saare ANGELS vibrate karne lage...

mai samajh chuka tha ki agar maine kuch pal ki bhi deri aur ki toh saare ANGELS khatm ho jaayenge aur isiliye.....









SHAKTIYEM VINASHATE

ENERGY DESTROY




jaise hi maine SPELL bola....BOOM..........



ek tez dhamake ke saath wo NEGETIVE ENERGY ki chaadar blast ho gayi....

par iske saath ek aur cheez hui....mere saare ANGELS jo ki naa chahte hue bhi us NEGETIVE ENERGY se jude hue the,dhamake ka impact un sab par bhi hua....

dhamaka hote hi wo saare ABGELS piche ki taraf ud gaye...

un sabki aankhen band ho chuki thi..kisi neerjeev prani ki bhaati dheele ho wo sab hawa me ludhke hue se tair rahe the....

aaj mujhe khudpar bohot ghussa aa raha tha..mai in sabka LORD tha...aaj jaise mere aadesh par inhone khudki parwah naa karte hue apna kartavya nibhaya tha,thik waisa hi kuch daayitv mera bhi in sabke prati tha...

in sabki suraksha meri zimmedari thi...par jo hua usse badla toh nahi jaa sakta tha par haan,thik zaroor kiya jaa sakta tha aur isiliye.....

mere haathon se kuch rays nikli jo sidhe jaakar saare ANGELS se takrayi aur kuch hi palon me nirjeev se pade saare ANGELS thik ho chuke the...

thik hote hi mujhe dhyanyawaad kehne ke liye jaise hi wo kuch bolne ko hue....



MAI-kuch kehne ki zaroorat nahi hai...aapne apna kartavya nibhaya aur maine apna..aap jaa sakte hain....



mere kehte hi saare ANGELS ek baar mere aage jhuke aur agle hi pal wo sab gayab ho chuke the....

jaise hi ANGELS gayab hue,thik tabhi RONIT,ANJALI aur DEFENDER mere saamne prakat hue...



RONIT- arre waah,yahan ki problem bhi khatm ho gayi....

MAI- hmm..wapas chalte hain...



DEFENDER se alvida keh hum teeno gayab ho gaye is baat se anjaan ki jis samasya ko hum khatm hua samajh rahe the wo bhi humari hi tarah sirf gayab hua hai,khatm nahi.......






PLACE-LONAVLA,FARM HOUSE





KYA HUA????SAB THIK HO GAYA NAA???



excitement aur tention ke beech fasi AVANTIKA ne hamare wapas aate hi humse pucha hi tha ki tabhi.....

mujhe ek zor ka jhatka laga.....SAB THIK HAI...ye shabd jo mere mooh se baahar aane hi waale the,wo wapas mere andar chale gaye....

aakhen meri ajaani aashankaon se ghiri dikhne lagi thi....

wahi in sab se anjaan ANJALI aur RONIT...



RONIT- haan,ab sab kuch under control hai.....

ANJALI- ek pal ke liye toh laga tha ki shayad hum kaamiyab nahi honge,par hum kaamiyab hue....

AVANTIKA-mujhe toh aisa nahi lagta....

ANJALI/RONIT- matlab????



AVANTIKA jo mujhe hi dekhe jaa rahi thi aur saath hi mere chehre ke badlte bhaavon ko bhi note kar rahi thi,usne RONIT aur ANJALI ko meri taraf dekhne ka ishara kiya...

aur jab in dono ki bhi nazar mujhpar padi,toh dono shocked ho gaye....



ANJALI- kya hua V.J...fir kuch naya hua hai kya???

MAI- naya bhi aur purana bhi.....

SAB- matlab....

MAI- naya ye ki UNIVERSE ke har life serving PLANET par ek saath wo NEGETIVE ENERGY activate ho gayi hai..

jiski wajah se har PLANET me vibrations shuru ho gaye hain....

ANJALI- aur purana???

MAI-ISLA ki jis problem ko hum sab khatm samajh wapas aa gaye wo problem sirf gayab hui thi,khatm nahi...aur ab wo problem firse wapas aa gayi hai.....

ANJALI/RONIT-WHAT????par ye kaise ho sakta hai????

MAI-sab kuch ho sakta hai bas tarika maalum hona chahiye aur ASMODEUS ne wahi tarika dhund liya hai...

RONIT- par aisa kaun sa tarika hai jo teri tak pakad me nahi aa raha hai...???

MAI- in sab ke liye abhi waqt nahi hai...abhi DEFENDER apni puri shakti lagakar ISLA me dobara fate LAVA aur baaki jagahon par failne waale us NEGETIVE ENERGY ko akele rokne ki koshish kar rahe hain...

par wo ye zyada der tak nahi kar paayenge.

tum dono turant unki madad karne ke liye jaao....


ANJALI- par V.J...har jagah par jo NEGETIVE ENERGY faili hui hai,tujhe toh pata hai ki wo kiski hai...hum dono milkar bhi shayad uska saamna naa kar paayen....!!!!

RONIT- aur tune abhi kaha naa ki problem har PLANET me shuru ho gayi hai toh un sabke baare me tune kya socha hai???

MAI- har PLANETS par ANGELS pahunch chuke hain...par wo bhi tum dono ki hi tarah puri tarah se samarth nahi hain us URJA ko rokne ke liye....

ANJALI- wahi toh mai keh rahi hun....toh fir sab kaise thik hoga???

MAI-uski chinta tu mat kar..is baar jab tum dono aur saare ANGELS SPELL bologe,tab tum sab ki shakti mujhse judi hogi....

isse tum sabke SPELLS hazar guna tak zyada impactful ho jaayenge....par haan,kyunki aisa karne se tum sab meri shaktiyon se direct judoge,isiliye tumhe bohot zyada dard hoga...

ANJALI- jitna bhi dard ho V.J agar UNIVERSE ko bachana hai toh hum kuch bhi kar guzrenge....

RONIT-exactly...hum dono jaa rahe hain,tu apna kaam shuru kar....



ye bol dono gaayab ho gaye....



AVANTIKA- kya tum yahin se saare ANGELS ke saath judoge???

MAI- nahi AV.....is kriya me meri bohot zyada urja baahar aayegi...ye jagah,ye jagah kya mai aisa kisi bhi sansaar me nahi kar sakta...

iske liye mujhe wapas TWISTED DIMENSION ne jaana hoga...

AVANTIKA- kya mai bhi saath chalun....?????arre ye toh.....



abhi AVANTIKA ne apni baat kahi hi thi ki tabhi wo chownk gayi......

reason....is waqt hum dono hamare farm house ke kamre me nahi balki MAGICAL DIMENSION me the....


MAI-kaam shuru karte hain.....




SAMBHINATTI SWAH SHAKTIYEN

JOIN WITH MY POWERS




jaise hi maine SPELL uccharit kiya,mere saare sharir se ek saath laakhon carodon rays nikli aur tezi se saare jeeven deyi grahon ki taraf nikal padi aur jaise hi wo saare rays un PLANETS me moujud mere dono doston,DEFENDER aur ANGELS ke sharir par padi....



AAHHHHHHHHHH.............................




ek tez dard ki leher un sabko feel hone laga par apni dard ki parwah naa karte hue....




SHAKTIYEM VIMUKTI

POWER RELEASE




sabhi ne ek saath is SPELL ko uchharit kiya aur aisa karte hi sabhi ke sharir se ek saath kaafi maatra me WHITE ENERGY nikli aur sidhe jaakar us BLACK ENERGY ke chaadar se tarkrayi aur agle hi pal....

do chizen hui.....



pehli.....wo BLACK ENERGY jo ki lagatar aage badh rahi thi,wo apni jagah par jad si hokar rook gayi...



dusri....kyunki is baar mai ne ek saath pure bramhaand me faille us BLACK ENERGY par ek saath apni power release ki thi,isiliye mujhe us BLACK URJA ke baare me ek nayi jaankaari mili jisse jaankar mujhe ek jhatka laga tha......

aur is naye jhatke ki wajah se mere chehre par bhi surprising expressions ne janm liya tha jisse AVANTIKA ne dekh liya....



AVANTIKA- kya hua V.J...problem ab bhi thik nahi hui kya????

MAI- problem thik toh nahi hui hai par filhaal ke liye rook gayi hai....par baat kuch aur hai......

AVANTIKA- kya????

MAI-batata hun..pehle yahan se chalte hain...



maine man hi man saare ANGELS ko wapas loutne ko kaha...itni zyada maatra me WHITE ENERGY ke takraane ki wajah se filhaal ke liye kuch der tak wo BLACK ENERGY rooki rehne waali thi aur issi beech mujhe is problem ka ek permenent ilaaj dhundana tha...

issi soch ke saath mai AVANTIKA ko lekar gaayab ho gaya par mujhe kya maalum tha ki jis solution ko mai dhund raha hun,wo toh mere saamne hi hai aur kuch hi der me mujhe pata bhi chalne waala hai par jis solution ke milne par mujhe khush hona chahiye,mujhe khabar nahi thi ki wahi solution meri duniya hilaane waala hai.....





PLACE- FARM HOUSE





RONIT- bhai,jab teri powers humare sharir se takrayi,toh aisa laga maano koi humare body parts ko kaat kar alag kar raha hai....

ANJALI-haan yaar....dard toh dard,uske upar dimag ke naso tak me ajeeb se chubhan hone lagi thi....

par koi naa,kamsekam itni badi tention jo hum sabke sir ke upar naach rahi thi,wo toh filhaal ke liye rook gayi....



ANJALI aur RONIT apni apni baat kahe jaa rahe the,par mera dhyan toh us naye jhatke par hi tha jo abhi abhi mujhe laga tha...

kuch der baad jab mere khamoshi ke peeche chhupe tention ne in dono ko click kiya toh...



ANJALI- kya baat hai V.J tu ab bhi tention me lag raha hai???

RONIT- tention toh hogi hi naa....problem sirf tali hai,khatm nahi hui par yaar mujhe pata hai ki tu koi naa koi soution nikal hi lega....

MAI- ussi baat ka toh dar hai.....

ANJALI/RONIT-kya matlab????

MAI-solution se pehle equation samajh me aana zaroori hai...aur jo equation mere saamne aaya hai,uska solution accha toh ho nahi sakta???

RONIT- bhai,kuch samajh me aaye aisa bol...

MAI-jab maine apni powers tum sab se jodi aur jaise hi tum sabne SPELL bol us NEGETIVE ENERGY ko roka,tab mujhe kuch dikhayi diya tha....

ANJALI- kya dikhayi diya???

MAI- yahi ki wo NEGETIVE ENERGY hai toh ASMODEUS ki par......

ANJALI-par kya????

MAI-us shakti ka shroth badal gaya hai..

RONIT- shakti ka shroth badal gaya hai!!!tu kehna kya chahta hai....???

MAI- dekh...jaise hum jab kisi ko push karte hain,tab push karne waali chiz ko haath se dhakka dete hain...

par us dhakke ko taakat haath nahi balki us haath ko jodne waale joints dete hain..

wahi haath ki shakti ka shroth hote hain..thik waise hi jo NEGETIVE ENERGY is waqt pure UNIVERSE me faili hui hai,wo hai toh ASMODEUS ki par uska SHROTH matlab starting point koi aur hai,ASMODEUS nahi....



meri baat sun AVANTIKA ke saath saath RONIT aur ANJALI bhi solid chownke the....



RONIT- matlab ASMODEUS ki shakti kisi aur se flow hote hue pure universe me faili hui hai.....

kaun ho sakta hai???kahin BEELZEBUB toh nahi....

MAI- nopes...agar wo hota toh mujhe pata chal chuka hota....wo kya,koi bhi negetive energy ka dhaarak agar ye kare toh mujhe pata chal jaayega....



aisa karne ke liye ASMODEUS ko kisi aise bande ki zaroorat hai jiske paas..............



MERI PROTECTION HO................



apni baat kehte kehte mere dimag me kuch click hua jisse samajh maine apni baat puri ki par meri aakhri baat sun teeno firse chownke....



ANJALI- teri protection.....matlab????


MAI- barf ke upar barf rakho toh barf nahi pighalta..uske liye garmi ki,aag ki zaroorat padti hai...

isiliye hi jo energy har taraf faili hai,wo hamare efforts se bas rook rahi hai,khatm nahi ho rahi..

agar koi DEVIL ya NEGETIVE ENERGY ka dhaarak in sabke piche hota toh mere powers ke un negetive urja ko chhute hi wo mar jaata aur mujhe pata bhi chal jaata...

par ho ulta raha hai...us negetive energy par meri shaktiyon ka bhi asar nahi ho raha hai...

aur iska ek hi reason ho sakta hai aur wo ye ki jo bhi shroth in sabke piche hai,wo ASMODEUS se nahi balki mujhse juda hai..

uske paas meri SHIELD hai jiski wajah se wo negetive energy ka SHROTH dikh nahi raha...

ANJALI- OH MY GOD.......ye toh bohot khatarnaak baat hai....par aakhir aisa kaun hoga jisse ASMODEUS ne itne khatarnaak kaam ke liye chuna hoga....????



pehli baar is room me aate waqt mere dimag me kuch aaya tha,wahi soch ek baar firse mere dimag me aayi par maine firse us soch ko dimag se nikalne ka socha par tabhi.....

mere seene ke beech ek tez roshni hui jiska sirf ek matlab tha aur wo ye ki waqt aa chuka tha pehli BHAVISHYAWAANI ke khulne ka...

tez roshni ke beech wo BHAVISHYAWAANI theek mere saamne aakar rook gayi....

ab bhi us charre roopi BHAVISHYAWAANI ke upar likha hua tha ANGELS SACRIFICE.....

kuch der tak yunhi gol gol ghumne ke baad:-



NAHI HO SAKTA TU NAAVIK
EK SAATH DO DO NAAV KA,

WAQT AA GAYA HAI KISI
EK KE CHUNAAV KA....



JO TUFAAN AANE KA HAI,
WO HAR HAAL ME AAYEGA,

TERA JO DAR HAI,
AAJ WO SACH HO JAAYEGA....



APNI ASLIYAT TUJHE AAJ
KHUDKO DIKHANI HOGI,

YA TOH PURA SANSAAR MAREGA,
YA JISNE TUJHE BACHAYA HAI,



UNKI KURBAANI HOGI......





jaise hi BHAVISHYAWAANI khatm hui....



DHAMMMM............



mai ladkhadate hue neeche gir gaya.....



ANJALI aur RONIT ko BHAVISHYAWAANI ka matlab toh samajh me nahi aaya tha par mere yun achanak girne se dono ko itna andaza zaroor ho gaya tha ki baat jo bhi hai,wo unki soch se bhi zyada buri hai....

wahin dusri taraf lagatar tezi se beh rahe AVANTIKA ke aansu is baat ko pramanit kar rahe the ki meri hi tarah usse bhi BHAVISHYAWAANI ka matlab samajh me aa chuka tha....

par is waqt mujhe sambhalne ke liye uska control me rehna zaroori tha par kahin na kahin wo ye bhi jaanti thi ki ye possible nahi hai...

aur hua bhi aisa hi....kuch der tak shunya me ghurte rehne ke baad achanak.....



ASMODEUSSSSSSSSSSSSSSSSSSSSS..........



ek dahad mere mooh se nikli...is baar meri awaaz itni zor ki thi ki AVANTIKA ke SHIELD ko uske saamne aana pada mere awaaz se nikli energy se usse bachane ke liye...

par ANJALI aur RONIT ke upar meri awaaz ki urja ka prabhaav pada..mere cheekhte hi mere chaaron taraf ek tez hawa ka pravaah nikla jisne ANJALI aur RONIT ko peeche hawa me ucchal diya...

par dono ne hawa me hi apni apni body ko control kiya aur floor par utar aaye...wahin meri awaaz ki teevrata se pura farm house kaamp gaya tha....

aisa laga maano koi bhukamp aaya ho....neeche hall me baithe humare gharwaalon ko meri cheekh kisi dahad ki tarah lagi jisse sun sabhi sehem se gaye the...

wahin mere mooh se apna naam sun ASMODEUS ke chehre par ek smile aa gayi thi....



ASMODEUS- aakhir mere BHAI ko sach pata chal hi gaya.....



DHADAAK.........



abhi ASMODEUS ne itna kaha hi tha ki tabhi kisi ke haath ne uski gardan ko pakda aur agle hi pal ASMODEUS ka body hawa me tairta hua sa saamne diwal se jaakar takraya...

ye kaam aur kisi ne nahi maine kiya tha.....jahan mujhe achanak neeche dekh pehle saare ghar waale shocked hue wahin meri harkat ko dekh double shocked...



MOM-VICKY.....ye kya...........??????



isse aage MOM kuch nahi keh paayi...



reason....maine apna haath aage kar unhe kuch na kehne ka ishara kiya tha par unke chup hone ka reason aur kuch tha...

aur wo ye tha ki is waqt meri aankhen aansuon se bhari hui thi....uske upar mere jabde sakhti se ek dusre se bheenche hue the.....

mera pura sharir ghusse ki adhikta ki wajah se kaamp raha tha...

mujhe is condition me aaj tak kisine bhi nahi dekha tha aur aaj jab mera ye roop saamne aaya tha toh usse dekh mom ke saath saath sabhi shocked ke maare chup se ho gaye the....

wahin girne ke agle hi pal ASMODEUS khada ho chuks tha aur abhi bhi uske chehre par wahi smile thi....

mai uski taraf aage badha..mujhe aage badhte dekh dad mujhe rokne ke liye kuch kehne hi waale the ki tabhi kuch aisa hua ki dad ke saath saath sabke mooh band aur aankhen fati ki fati reh gayi...


toh hua ye ki aage badhte hue mere haathon me meri SWORD aa gayi thi..itna hi nahi,mai dheere dheere upar hawa me uth gaya tha..

ab ye nazara kisi aam insaan ke liye toh naamukin hi hai aur khaas kar tab jab ye jo kar raha hai,wo aapka apna beta ho toh aise me haalat toh kharab ho hi jaayegi naa...



ASMODEUS- waise toh tumhare dwara mujhe is SWORD se maara jaa sakta hai par filhal mai nahi mar sakta...

aur ye toh ab tum bhi jaan hi chuke ho naa BHAI.....

MAI- mai tera BHAI nahi hun........



ye bol meri talwar tezi se chali aur agle hi pal.....

NAHI............................



ye cheekh mere saare gharwaalon ke mooh se nikal gayi thi....



reason.....ASMODEUS ka sir uske dhad se alag hokar neeche gir chuka tha par agle hi pal jo hua,usse dekh mere gharwaalon ki aankhen shock se aur badi ho gayi.....

darasal ASMODEUS ka sir jo ki uske sir se alag ho chuka tha,wo agle hi pal wapas uske dhad ke upar jaakar jud gaya tha.....



ASMODEUS- ye kya bacchon waali harkat kar rahe ho mere bhai....mujhe tumse ye ummid bilkul nahi thi....

MAI-aur naahi mujhe tumse....



ye bol mai aage badha aur maine ASMODEUS ka gala pakad usse upar utha diya.....



MOM- VICKY...rook jaa beta....tujhe meri kasam....

MAI-MOMMMMMMM..............



mom ki baat sun mai itni zorse cheekha ki ek pal ke liye wo dar gayi par unke chehre par dar dekh mujhe khudpar bohot ghussa aaya...



mere hatheli ki pakad ASMODEUS ke gale se dheeli ho gayi jisse wo neeche zamin me aa gaya.....

par tabhi.....


ANJALI-VIKRAM ko toh kasam ne rok liya par hum toh waar kar hi sakte hain naa....



VINASHAYAM ABJUTE.......

DESTROY RAYS.....



mantra ke uccharit hote hi ANJALI aur RONIT ke haathon se do rays nikli aur ASMODEUS ki taraf lapki....

mere baad ANJALI aur RONIT ko yun jaadu karta dekh mere gharwaalon ka shock toh double hona hi tha....

wahin ASMODEUS ne ANJALI aur RONIT ki rays ko rokne ke liye kuch nahi kiya..wo rays ASMODEUS ko lagi zaroor par un rays ka uspar koi asar nahi hua.....

in sab se alag mai wapas apne ghutno par aa gaya tha.....apne dono haathon se apne chehre ko dhak mai zor zor se rone laga tha...

mom dad bhale hi is waqt shock me the,par mujhe yun rota dekh wo sab bhul meri taraf doude.....



MOM- kya hua beta.....tu ro kyun raha hai????maine kasam di isiliye ro raha hai kya???agar meri wajah se ro raha hai toh please maaf kar de baccha......



mom ki baat sun mera rona aur badh gaya tha....



MAI-KYUNNNNNNN?????MERE SAATH HI KYUN???????KYA BIGADA HAI MAINE KISIKA????HAMESHA WAHI TOH KIYA HAI JO TU CHAHTA THA FIR KYUN????ISSE ACHA TOH MUJHE HI MAAR DETA TU.......



CHATAAKH.........



ye thappad dad ne maara tha mujhe....



DAD- kya bakwas kar raha hai tu.....????kya issi din ke liye paida kiya tha tujhe ki tu marne ki dua kare???

mai nahi jaanta ki kya hua hai???aisi kaun si problem hai jiski wajah se mere sher bete ki aankhon me aansu aa gaye....

par reason jo bhi ho,tu haar nahi maan sakta...suna tune,situation jo bhi ho,tu haar nahi maan sakta.....



kuch der tak dad mujhe samjhate rahe....wahin mere aansu toh sukh chuke the..mai khamosh ho gaya tha....dad ko laga ki mai normal ho raha hun par unhe kaun bataye ki jo andar se mar chuka ho,wo normal nahi ho sakta.....

wahin mom ko jab laga ki jo ho raha hai,uske baare me wo ab baat kar sakti hain toh



MOM- beta,ab toh bata ki ye sab kya hai???tu,ANJALI aur RONIT jaadu kar rahe ho???tu isse maarne par tula hua hai...par tune jo iske saath kiya uske baad iska sir wapas aa gaya aur ye zinda khada hai....!!!!

aakhir ye sab ho kya raha hai????



par mom ki baat ka maine koi jawab nahi diya..mai ab bhi chup chaap baitha hua tha....



ASMODEUS- iska jawab mai deta hun...par sabse pehle proper introduction hona zaroori hai...



ye bol ASMODEUS aakar hall ke beech me aakar khada ho gaya....

ASMODEUS ki baat sun mere mom dad khade hokar baaki ghar waalon ke paas chale gaye... wahin ANJALI,RONIT aur AVANTIKA mere paas aakar khade ho gaye...

baaki ki hum teeno ki family jo ab bhi halke dare hue the,wo bhi ASMODEUS ki baat dhyan sunane lage....



ASMODEUS- ye batayiye,GOD ko maante hain aap....????

ASMODEUS ki baat sun sabhi gharwalon ko ajeeb laga par fir....

DAD- haan,maante hain....

ASMODEUS- badhiya...GOD ke kul do putra hain jinme se ek aapke saamne khada hai,matlab ki mai ASMODEUS aur dusra aap sabke saamne baitha hai,matlab ki ye VIKRAM.......

ASMODEUS ne bina koi bhumika baandhe sidhe sapat tarike se apni baat keh di..par uski baat sun sabhi gharwaalon ko aur sabse zyada mere mom dad ko shock laga...unhe samajh me nahi aa raha tha ki wo kaise react karen????

Koi aur waqt aur haalaat hote toh ASMODEUS ki baat sabko kori bakwaas lagti par abhi abhi jo chizen sabne dekhi thi,usne sabko ASMODEUS ki baat par yakin karne par majboor kar diya tha...



ASMDOEUS-yahi sach hai....mai aapke GOD ka pehla putra hun....ek aisa putra jisse uske pitah ki banayi ek rachna jisse manushya kehte hain,kabhi bhi pasand nahi thi aur isiliye mai is jaati ka samooh naash chahta tha...

par mere PITAH ko is jaati se ya fir ye kahun ki aapki jaati se bohot prem tha..unhone mujhe apni soch badalne ko kaha par mai nahi maana aur isiliye mujhe unhone khud se door kar diya.....

par unke aisa karne se meri manushyon ke prati nafrat aur badh gayi aur maine apna khudka ek saamrajya banaya aur jahan pehle mai GODS SON ke naam se jaana chahta tha,wahin ab mai DEVILS LORD ke naam se jaana jaane laga....




ASMODEUS ki baat sun mere gharwaalon ke man me halka dar sa panap gaya tha.....



ASMODEUS-GOD mujhe maar nahi sakte the kyunki mai unka khudka ansh hun..isiliye unhone ek naye ansh ko mere saamne utaarne ki sochi...

us ansh ko unhone aapke (MINAKSHI) kokh me daala aur falswaroop aapke ghar me dusre PARMESHWAR PUTRA aur LORD OF ANGELS ne janm liya...

ji haan,aapke ye suputra sirf aap dono aur GOD ke bete hi nahi balki saare ANGELS ke LORD hain....

aur inke ye dono dost.inke andar bhi ANGELS ki shakti hai jo VIKRAM ne hi inhe di hai....



jahan kuch der pehle tak ASMODEUS ki sacchayi jaankar sabhi gharwaale dar rahe the,wahin jaise hi sabne meri sacchayi jaani toh sabhi ki khushi ka thikana nahi raha...

ANJALI aur RONIT ke mom dad bhi unke baccho ke baare me jaankar bohot khush ho gaye the......



MOM- matlab meri kokh se janma mera putra khud PARMESHWAR ki santaan hai....

mai GOD ke putra ki MAA hun......



jahan mom apni khushi zaahir kar rahi thi,wahin dad bas chup rehkar is khushi ko mehsoos kar rahe the....



ASMODEUS-zyada khushi bhi thik nahi hoti....pata nahi kis darwaze gum andar ghus jaaye...

aur waise bhi ye toh sirf intro tha,ab aate hain asal mudde par..us mudde par jiski wajah se aapke suputr mujhe maarne par amada the....

aur wo point wo baat ye hai ki filhal pure BRAMHAAND me kaali shakti ki ek parat si bichi hui hai jo kisi bhi waqt saare planets ko khaa jaayegi...

aapke bete aur unke dost lagatar us shakti ko khatm karne ki koshish kar rahe hain par wo kaamiyab nahi ho paa rahe hain...

jaante hain kyun???kyunki jis shakti ko ye sab khatm karne ko koshish kar rahe hain,wo shakti mere JEEVEN se judi hui hai...

wo tabhi khatm ho sakti hai jab mai khatm ho jaaun....par mujhe khatm karne ke liye kisi aur ka khatm hona zaroori hai.....



ASMODEUS ki baat ka matlab kisi ko bhi samajh me nahi aaya aur ye baat ASMODEUS bhi samajh raha tha aur isiliye....



ASMODEUS-nahi samajh aaya..chaliye samjhata hun....darasal baat ye hai ki maine apne JEEVEN KAN ko do logon ke JEEVEN KANO me milakar unhi dono ke andar chhupa diya hai....

isiliye jis KAALI SHAKTI ka chaadar pure bramhaand me faila hua hai,usme maine apne baaki ke jeeven kan daal diye hain...

ab jab tak un jeeven kano ke shroth ka pata nahi chal jaata,tab tak wo kaali shakti ki chaadar hategi nahi.....

aur ab aate hain sabse mazedar baat par...jaante hain wo dono kaun hai jinme mere JEEVEN KAN moujud hain....????



VIKRAM KE MAA,BAAP matlab AAP DONO......



ASMODEUS ki baat sun jahan ek taraf sabko ab tak ka sabse bada jhatka laga wahin mai waise hi shunya ko ghurta hua sa baitha raha aur mere saath saath AVANTIKA bhi normal rahi kyunki usse bhi BHAVISHYAWAANI ke through ye baat pata chal chuki thi....



RONIT- apni bakwas band kar..uncle,aunty,ye jhooth bol raha hai...aisa ho hi nahi sakta....????VIKRAM ne aap sabke aas paas ek SHIELD banayi hui hai,jiski wajah se koi bhi negetive energy aap dono tak pahunch hi nahi sakti...

toh aise me ye aapme apne JEEVEN KAN kaise inject kar sakta hai...

ASMODEUS- tum bewakuf lagte toh nahi fir baat naalaayakon ki tarah kyun kar rahe ho....???

baaton ko dhyan se sunane ki aadat daalo...maine kaha ki maine apne JEEVEN KAN ko do logon ke JEEVEN KANO me chuppakar unke andar pravesh karaya hai..

ye dono JEEVEN KAN VIKRAM ke MAATA PITAH ke hi hain.....

ANJALI- aunty aur uncle ke jeeven kan tumhare paas kaise aaye???



ANJALI ke sawal par ASMODEUS ke chehre par ek muskaan naach gayi....



ASMODEUS-wo waqt toh yaad hoga jab tum meri kaid me thi aur VIKRAM tum tak nahi pahunh paa raha tha...

kaaran kya tha aisa hone ka....????



RONIT-tune VIKRAM se uska ohda cheen liya tha aur uske dimag ko apne kabze me kar liya tha...

ASMODEUS-kaise????

RONIT- uske dimag me apne khoon ko pahunchakar.....

ASMODEUS-VIKRAM ke dimag me apne khoon ko pahunchane ki asli wajah wo nahi thi jo tum sab samajh rahe the....

VIKRAM ke khoon me do do JEEVEN KAN moujud hain..ek uske PITAH ka aur dusra uski MAA ka...

mujhe wahi dono JEEVEN KAN chahiye the taaki waqt padne par uska istemaal kar sakun....

aur dekho,maine istemaal kar liya wo bhi kisi ko bina pata lagne diye.....

Sabko saari sacchayi bara aakhirme ASMODEUS meri taraf palta...



ASMODEUS-VIKRAM.....tumhe tumhare sawalon ka jawab bhi mil gaya....us jawab se jo chunouti saamne aayi,tumne wo bhi puri kar li aur saath hi saari aslliyat bhi jaan li...

aur ab aakhir me baari hai tumhare faisle ki....tumhare paas do vikalp hain....



PEHLA.....ya toh apne maata pitah ko bacha pure BRAMHAAND me basne waale logon ki kurbaani de do ya fir apne maata pitah ki kurbaani dekar pure bramhaand ko bacha lo.......

RONIT-abbe apni bakwas band kar..saale agar tu chaahe bhi naa toh uncle aunty ko koi nuksaan nahi pahuncha sakta..samjha???

ASMODEUS- kisne kaha ki mai nuksaan pahunchaunga....ye kurbaani,ye balidaan itna aasan nahi hai...

VIKRAM ko swayam apne haathon se apne MAATA PITAH ko maarna hoga...

tab jaakar kahin pure bramhaand me jo kaali shakti ki chaadar bichi hai aur jo kisi bhi waqt aage badh sakti hai,wo khatm hogi....



ASMDOEUS ki baat sun pure kamre me sannata chaa gaya....NAANA,NAANI,MAAMA,MAAMI,RONIT aur ANJALI ke gharwaale,kisi ko bhi samajh nahi aa raha tha ki wo sab kaise react karen......????

aisa hi kuch RONIT aur ANJALI bhi feel kar rahe the..AVANTIKA kas kar mera haath pakde hui thi mano keh rahi ho ki tumhara faisla jo bhi rahe,mai usme tumhare saath hun....

sabhi ke man me negetive thoughts the par in sabke beech do log aise the,jinke chehre par smile thi...

ye dono aur koi nahi mere mom dad the....



DAD-VICKY.......



dad ki awaaz me sirf mere liye pyar tha,ASMODEUS ki baat sunanane ke baad bhi koi dar nahi....



dad ki awaaz sun itne der me pehli baar mera sir hila...maine mom dad ki taraf dekha jo mujhe hi dekhte hue muskura rahe the.....



DAD- mera beta asal me GOD ka beta hai...itni badi baat,itni khushi ki baat aur tu yun udaas baitha hai....

pata hai,bachpan me jab sab mujhe anath anath kehkar chidhate the,mujhe nicha dikhate the toh mai hamesha rota hua GOD se shikayat karta tha ki mujhe maa baap ka pyaar kyun nahi diya...

aur ye shikayat aaj tak thi par ab nahi....usne mujhe maa baap nahi diye par khudka BETA de diya.....

isse zyada garv ki baat aur kya ho sakti hai beta....tere bahane se hi sahi,kamsekam GOD mera bhi naam lete honge ye sochkar hi mujhe itni zyada khushi ho rahi hai ki aur khushi mai bardaasht nahi kar paaunga...

meri zindagi saarthak ho gayi beta...saarthak ho gayi.....

MOM-maine GOD ke putra ko apni kokh se janm diya hai..maine toh jeete jee hi moksh paa liya beta....

ab ye jeeven rahe ya naa rahe.kya fark padta hai.....

DAD- teri mom theek keh rahi hai beta...aaj tak tune hum dono ko sirf garbhit hi kiya hai...

humari kurbaani dekar is universe ko bacha ek aakhri baar hume tujhpar proud feel karne ka mouka de...

isne abhi kaha naa ki tu LORD OF ANGELS hai...toh apne ohde ko samman de beta...nyaaya kar..kyunki nyaaya se badhkar rishte nahi hote......

DAD- agar aaj tune UNIVERSE ko chhodkar hume chuna toh hum waise bhi mar jaayenge beta..itni saari zindagiyon ko mout ke ghaat utaarne ki wajah hum kaise ban sakte hain...????

MAI- bas kijiye aap dono....aap aisa kuch nahi keh rahe ya fir kahenge jo mujhe pehle se nahi pata.....

ASMDOEUS,tujhe lagta hai ki tune baazi jeet li,kyun????nahi...jeetna toh door ki baat hai,do do baar haara hai tu....

ek baar tab jab apne PITAH ko sirf GOD samajh chhod aaya tha tu aur aaj fir haara tu jab ek manushya ko DAD bol uski jaan ka souda kar liya tune...

jin manushyon ko chhota aur naakara samajhta aaya hai tu,aakhirkaar unhi ka sahara lena pada naa tujhe.....



AAJ EK BAAR FIR TERE PITAH KO TUJHPAR SHARM AAYEGI AUR MERE PITAH KO MUJHPAR FIRSE GARV HOGA.....



meri baat sun aur aane waale lamho ke baare me soch wahan moujud sabhi ke aankhon me dard aur ghabrahat ke bhaav aa chuke the...

sabhi samajh chuke the ki kya hone waala hai...rokna toh sabhi chahte the par sab ye bhi jaante the ki agar mai rooka toh kya hoga isiliye sab jad se hokar apni apni jagah par khade hue the.....

aakhri baat kehte hue meri body firse ghusse aur dard ki wajah se kaampne lagi...

aankhon me paani liye maine ek baar apne mom dad ko dekha jo muskurate honth aur bheegi palkon ke beech mujhe garv se dekh rahe the......



MAI-I LOVE U MOM......I LOVE U DAD..........



BOOM.....BOOM............



ek ke baad do dhamake hue aur ek pal pehle jahan mere MOM DAD khade the,ab wahan par bas RAAKH thi......

NAHIII....................ye cheekh wahan moujud sabhi ke mooh we nikli.

ladhkhadate kadmo se chalta hua mai aage badha aur kampkampate haathon se us RAAKH ko pakad maine apne chehre par laga liya....


MAI-AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA

Is cheekh ke saath mai neeche gira aur girte hi gayab ho gaya.wahin ASMODEUS.....wo toh pehle hi gaayab ho chuka tha......




NOTE:-toh doston yahi tha hamare last chapter ke pehli bhavishwaani "ANGELS SACRIFICE" ka matlab...jiske baare me kuch der pehle GOD THE THREE MESSENGERS se bol rahe the.....aur isiliye hi maine kaha tha ki OHDA JITNA BADA,UTNI HI BADI KURBAANI.......
 
Member
278
52
28
FINAL CHAPTER





( DEVILS DEMOLITION)





LAST THIRD UPDATE





PLANET-MONSLICKEL





PLACE-OUT SIDE PALACE




EK MAHINE BAAD:-






TUM LOGON KI ITNI HIMMAT KI TUM YAHAN HAMARE GRAH ME AAKAR HUME HI MAARNE KI BAAT KARO.....



IN SABSE ANGELS KI SHAKTI KI BOO AA RAHI HAI.LAGTA HAI IN SABKO ABHI ABHI NAYI NAYI SHAKTI MILI HAI JISKA ABHYAS KARNE KE LIYE INHE YE JAGAH SAHI LAGI....



HAHAHAHA.....BACHON, TUMHARI YE HARKAT NAAHI SIRF HAASYAPAD HAI,APITU DEVILS AUR ANGELS KI SANDHI KO TODNE KA EK ANUCHIT PRAYAS BHI HAI....

ABHI BHI WAQT HAI,LOUT JAAO..KYUNKI AGAR EK BAAR JO YUDH AARAMBH HUA,TOH TUM SABKI MOUT PAR HI ROOKEGA.....




is waqt MONSLICKEL me ASMODEUS ke mahal ke baahar wahan ke rehwaasiyon ke jo ki DEVILS the,unke saamne kuch log khade the...

ye log aur koi nahi balki RONIT,ANJALI,AKSHAANT,SHAILA,MOKALSAR aur DEFENDER the.....



aur ye sabhi is waqt bohot zyada ghusse me the....ek mahine pehle jo ASMODEUS ne VIKRAM ke saath kiya tha,us harkat ne RONIT aur ANJALI ke man me aag laga di thi...

aur wo aag lagatar badhti gayi kyunki us din ke baad se VIKRAM ko ab tak kisi ne bhi nahi dekha tha....wo gayab ho gaya tha....

aur jo hua,us baare me jab VRIHAK waasiyon aur DEFENDER ko pata chala,toh unke man me bhi wahi aag bhadak uthi jo ANJALI aur RONIT ke man me jal rahi thi...

in sabko pata tha ki ye AMODEUS ko harane aur maarne ke kaabil nahi hain,par fir bhi ye usse jitna ho sake,taklif pahunchana chahte the...

VIKRAM ki hi tarah ASMODEUS ka bhi us din ke baad se koi ataa pata nahi tha...wo bhi gayab ho chuka tha....

ab in sabke paas bas ek hi chaara tha aur wo tha khud kisi tarah MONSLICKEL pahunchna....

pichli baar RONIT VIKRAM ke saath MONSLICKEL aaya tha.....

uske alawa inme se kisi ne bhi MONSLICKEL nahi dekha tha.....

aur kyunki MONSLICKEL ASMODEUS ka ghar tha,isiliye wahan tak yunhi sirf soch kar pahuncha nahi jaa sakta tha....



reason.....jaisa ki maine bataya tha ki kisi bhi grah me pahunchne ke liye wahan ke grah binduon ko apne dimag se jodna padta hai...

tabhi jaakar us grah ka WORLD DOOR khulta hai....lagbhag har grah ke grah binduon ko apne dimag se jodna aasan hai par MONSLICKEL ki baat kuch aur hai....

aur wo isiliye kyunki ASMODEUS ne apne grah ko bramhaand ke aise chhor me banaya tha,jo kisi bhulbhaliya ki tarah hai...

wahan tak pahunchne ke ke liye ek,do ya teen nahi balki saikdon grah binduon se hokar finally us grah bindu tak pahuncha jaa sakta hai jo MONSLICKEL ka WORLD DOOR khol de.....

ek baar VIKRAM ke saath yahan aane ki wajah se is PLANET ke grah binduon ka kuch knowledge RONIT ke paas tha aur waise bhi ab usme bhi ek ANGEL ki shakti thi....

VIKRAM ke gayab hone ke baad usne aur ANJALI ne VIKRAM ko khojne ki bohot koshish ki par wo kamiyab nahi hue...

yahi koshish VRIHAKH WAASIYON ke saath saath DEFENDER tak ne ki par koi parinaam nahi nikla....

VIKRAM ko naa dhund paane se in sabka ghussa aur prabal ho gaya aur isiliye in sabne MONSLICKEL me halla bolne ki thaani...

ek mahina..pura ek mahina laga...RONIT ne apne dhyan ko lagatar ek mahine tak kendrit kar aakhirkaar MONSLICKEL ka pata laga hi liya...

aur jaise hi RONIT successful hua,wo ANJALI,VRIHAKH WAASI aur DEFENDER sabhi yahan ke liye turant kooch kar gaye....



MONSLICKEL.....DEVILS ka grah....isiliye jaise hi WHITE ENERGY se saraabor RONIT and party ne is grah par apne kadam rakhe,BLACK ENERGY se bhare hue DEVILS ko un sab ke aane ka pata chal gaya aur agle hi pal DEVILS ki ek tukdi RONIT and party ke saamne prakat hui....

aur prakat hote hi un DEVILS ke pratinidhi ne RONIT and party ko wapas chale jaani ki chetawani di.....



RONIT-wapas jaane ke liye hum itni door nahi aaye hain...ab ya toh tu jiska kutta hai,us saale ASMDODEUS ke paas hume lekar chal ya fir tum sab chooso ko maar kar hum khud ustak pahunch jaayenge....

DEVIL- tera itna saahas ki tu hamare MAHAMAHIM ko naam se pukare...ye dussaahas kar tune apni aur apne sathiyon ki mout sunishchit.............

AHHHHH................



KAR LI HAI....in bache hue teen shabdo ko wapas peeche dhakel inki jagah lete hue ek dard bhari karah us DEVIL ke mooh se nikal gayi....

reason....isse pehle ki wo DEVIL apni baat puri karta,RONIT ke haathon me WHITE ENERGY se bana ek ball chamak utha,aur agle hi pal us urja gendh ko RONIT ne us DEVIL par chhod diya...

light speed se aage badhte hue wo urja gendh sidhe jaakar us DEVIL se takraya...

us urja gendh me itni shakti thi ki usne naa sirf us DEVIL ko uthakar bohot door tak fek diya jiski wajah se uske mooh se AAH bhari karah nikli,balki jaise hi wo DEVIL us urja gendh ke contact me aaya,toh us ENERGY BALL ka empact us DEVIL ke aaju baaju ke DEVILS ke upar bhi hua...

un sabke body par ek strong force padi jis wajah se wo sab bhi kuch door tak peeche tak udte hue gire....

wo DEVIL jispar aim lekar RONIT ne waar kiya tha,wo toh behosh ho chuka tha par baaki DEVILS girne ke baad turant khade ho gaye....

RONIT dwara chhodi gayi ENERGY BALL ke impact ko dekh wo sabhi DEVILS samajh gaye ki jo unke saamne khade hain,wo bohot shaktishaali hain aur isiliye.....



KARMASARATHI PRAKATAM

COMPANION APPEAR





jaise hi ek DEVIL ne is SPELL ko uccharit kar apne DEVILS saathiyon ka aawahan kiya,toh agle hi pal tez garjana aur dhuen ke beech ek saath hazaron DEVILS prakat hue....



RONIT- aa gayi mandali abhaar vyakt karne....taiyar ho jaao doston...daawat hone waali hai....

SAB- hum taiyar hain....aur is daawat me khaana nahi balki ye DEVILS parose jaayenge....



yahan mere doston ne ye baat kahin,wahan saare DEVILS ne ek saath AGNI ka awahan karte hue apne apne haath aage kar diye...

AGNI ke awahan ki wajah se DEVILS ke haathon me aag se lipti SWORD aur SPEARS ki shakal liye AGNI ASTRA dikhne lage....

AGNI ASSTRA ke haathon me chamakte hi DEVILS ne usse mere doston ke upar chhod diya...

wahin jaise hi mere doston aur DEFENDER ne DEVILS ke chhode AGNI ASTRA ko dekha,toh un sabne bhi apne istamal me laane waale astra ke baare me soch liya.....

aur jaise hi DEVILS ne AGNI ASTRA chhoda....



AVAKSARATI VAJRABANDHINTA

WATER MAGNET



DEFENDER aur mere doston ke mooh se ye SPELL ek saath uchharit hua aur aisa hote hi......



jahan mere dost khade the,unke saamne ek bade se golakar liye PAANI ka chakra ban gaya...

aur ussi paani rupi chakra se tarange nikalne lagi..ye tarange aur kuch nahi wahi MAGNETIC ENERGY thi jiska SPELL mere doston aur DEFENDER ne kaha tha....

wahin DEVILS dwara chhoda gaya AGNI ASTRA aage badhta hua jaise hi us chakra roopi paani ke paas pahuncha,toh us paani me ban rahe magnetic tarango ne un AGNI ASTRON ko khudme kheenchna shuru kar diya...

un magnetic tarangon ki energy bohot zyada thi....usne kuch hi palon me saare AGNI ASTRON ko apne andar kheench liya....

DEVILS ko laga ki unka pehla waar khaali gaya hai...unhe aisa pratit hua ki mere doston dwara banaya gaya wo paani ka chakra ek defensive moov tha par yahin wo dhoka khaa gaye....

jaise hi us paani numa chakra ne saare AGNI ASTRA ko kheench apne andar daala toh uske agle hi pal......





PRASAVYA SHAKTIYEM

REVERSE POWER




DEFENDER aur mere doston ne ek naya SPELL uccharit kiya aur unke aisa karte hi....

jitne bhi AGNI ASTRA us paani chakra ke andar gaye the,wo punah wapas baahar aaye par is baar wo ASTRA AGNI ke roop me nahi balki PAANI ke roop me baahar nikli the...

wahi SWORD aur SPEAR ki shalak liye wo NEER ASTRA tezi se aage badhe....

kyunki DEVILS ne aisa kuch hone ki ummid bilkul hi nahim ki thi isiliye wo sab is waqt asavadhan the jiska khamiyaja unhe bhugatne pada....

tezi se aage badhte hue wo NEER ASTRA second ke duswe hisse se bhi kam waqt me sidhe jaakar saamne ki do teen lines me khade saikdon DEVILS se takraye aur natija......



un NEER ASTRON ne saamne ke do teen lines me khade DEVILS ko beech se cheer daala....



AAHHHHHH.............ek maarmik cheekh ke saath saikdon DEVILS ke praan kooch kar chuke the...

wahin baaki ke DEVILS apne saathiyon ko yun khatm hote dekh hadbada gaye the....

unhe vishwas hi nahi ho raha tha ki yun achanak 1 pal me kya se kya ho gaya...

aur un sabki ye kuch palon ki hadbadahat un sab par abhi aur bhaari padne waali thi...

unke saathiyon ki durdasha ki baare me wo sab soch hi rahe the ki tabhi.....





PRAAN PAASH

LIFE ROPE



DEFENDER aur mere doston ne is SPELL ko uccharit kiya jiske falswaroop ek tez garjana ke beech aakash se ek saath saikdon bijli neeche giri ya fir ye kahun ki wo saikdon bijliyan ek saath saikdon DEVILS par barsi..

aur aisa hote hi ek saath saikdon DEVIL bijli dwara banayi bandhan me fas gaye....

ek saaath bohot si cheekhen hawaon me gunjane lagi..jitne bhi DEVILS un bilji ki rope me bandh gaye the,wo sab dard ke maare chatpata rahe the...

is waqt un sabko asahaniya dard ho raha tha par wo sab cheekhne ke alawa aur kuch nahi kar paa rahe the...

wahin apne saathiyon par hue is achanak humle se ek baar firse baaki ke DEVILS hadbada gaye...

par unke saathiyon ki cheekh se un sabki tantra tuti aur wo sabhi unhe bachane ke liye aage aane ki koshish karne lage...

koshish isiliye kyunki jin bijliyan numa bandhano ne unke saathi DEVILS ko khudme lapete hue tha,un bijliyon ka power bohot zyada tha jis wajah se unka asar aas pas ki jagahon par bhi ho raha tha....

aise me agar DEVILS sidhe apne saathiyon ke paas jaane ki koshish karte toh wo bhi un bandhano ke lapete me aa jaate...

kuch door se hi apne saathiyon ko azaad karne ke liye DEVILS SPELL bolne lage par un ke SPELLS se jo ray nikal rahi thi,usse bhi mere doston ke dwara prajwalit bijliyan beech raaste me hi tod de rahi thi...

is beech kuch der tak asahaniya dard se tadapte rehne ke baad DEVILS raakh ban kar gayab ho gaye.....

unke marte hi mere doston dwara bola gaya SPELL bhi khatm ho gaya....

wahin kuch hi palon me apne saikdon saathi khone ki wajah se baaki ke DEVILS bohot krodh me the...

aur iska badla lene ke liye un sabhi ne ek saath apni shaktiyon ko jodkar mere doston par prahar karne ki sochi..

ek hi pal me un sabke haathon se unki urja nikalkar un sabke beech jama hone lagi....

DEVILS ke is moov ko dekh mere dost bhi samajh gaye the ki is baar DEVILS ka bola SPELL bohot ghaatak hone waala hai..

aur isiliye wo bhi apne aap ko iske liye taiyar karne lage....

wahin ab tak DEVILS ki bohot maatra me urja collect ho chuki thi jisse wo mere doston par chhodne hi waale the ki tabhi......



ROOK JAAO.......




har taraf ye awaaz gunj uthi jisse sun ek taraf jahan saare DEVILS ne naa sirf apni energy jisse wo mere doston par chhodne waale the, usse wapas kheench li balki sabke sir neeche jhuk gaye...

wahin dusre taraf is awaaz ke kaano me padte hi mere doston ka ghussa aur badh gaya tha.....

in do samuho ke beech uphan rahe alag alag hhaavnao ke beech ek tez garjana ke saath BEELZEBUB prakat hua....BEELZEBUB ko apne saamne dekh....



RONIT- dekho toh sahi kaun aaya hai??saanp ka sapaula beta....ab aayega maza,aaja,tu bhi do do haath kar le...

tujhe maarkar jab tere is manhoos sharir ko tere baap ke saamne phekenge naa tab usse pata chalega ki jab koi apna apne saamne hi dum todta hai toh kaisa lagta hai???



aakhri baat bolte waqt RONIT ka gala bhar sa gaya tha par usne apne emotions ko control kar liya....



BEELZEBUB-samajh nahi aata ki tum sabki is harkat ko tumhari bahaduri kahun ya bewakufi.....

DEVIL LORD ke ghar par khade hokar tum sab unhe hi chunouti de rahe ho.....

tum sab jis taakat ke bal par itni uddham macha rahe ho naa,us taakat ka mere FATHER ke saamne koi aukaad nahi hai.....



ANJALI- yahi toh tu galat hai BEELZEBUB...hum yahan apni taakat ki wajah se nahi apne yaar ki wajah se aaye hain...

BEELZEBUB-yaar matlab VIKRAM....par kahan hai wo??dikh toh nahi raha.....

DEFENDER- hawa bhi kabhi dikhti hai murkh...par jab wahi hawa aandhi ka roop dharti hai toh uske chapete me aani waali chizon ke maadhyam se wo khudke aks ko dikhati hai....

LORD wahi hawa hain jo har jagah hain par dikhte tabhi hain jab wo AANDHI ka roop lete hain....

waise toh hum hi tere liye kaafi hain par agar us AANDHI ko dekhna hai toh humme se kisi ko bhi nuksaan pahunchakar dikha...

fir dekh tamasha...tere baap ka banaya ye kaala sansaar..isse ek pal bhi nahi lagega khatm hone me.....



BEELZEBUB-man toh mera bhi bohot hai ki tum sabko tumhare is dussahas ki saza dun par kya karun??mere haath bandhe hain...

FATHER ne mujhe tum logon ke saath kuch bhi karne ke liye filhal mana kiya hua hai....

par mai jaanta hun ki tum sab aise hi toh jaaoge nahi isiliye.....



PAAPIYAS SAMAST SHAKTIYEM KAWACH PRAKATAM

DEVILS COMPLETE POWERS SHIELD APPEAR



isse pehle ki mere dost kuch samajhte,BEELZEBUB ne is SPELL ko uccharit kar diya aur uske aisa karte hi.....

jitne bhi DEVILS wahan khade the,including BEELZEBUB,un sabke sharir se ek energy beam nikli aur dekhte hi dekhte saare DEVILS ke saamne un beams ne ek SHIELD ka roop le liya....



ye ek bohot hi shaktishali SHIELD tha..isse todna mere doston aur DEFENDER ke bas ka nahi tha....

wahin achanak BEELZEBUB ke SPELL aur usse hue prabhav ko dekh DEFENDER aur mere dost hadbada gaye....

par jaldi hi sambhal wo sab is SHIELD ko todne ke liye SPELL bolne hi waale the ki tabhi....



BEELZEBUB- koi faayda nahi hoga..is SHIELD ko todna tum sab ke bas ka nahi hai...fir bhi maanoge toh nahi...isiliye jab tak dil kare,koshish karte raho aur jab thak jaao toh wapas ghar lout jaana.....

ye bol BEELZEBUB saare DEVILS ko lekar gaayab ho gaya....

aur fir hua wahi jo BEELZEBUB ne kaha tha...RONIT and party lagatar kaafi der tak BEELZEBUB ke banaye SHIELD ko todne ki koshish karte rahe aur jab unhe ehsaas hua ki wo isme kaamiyab nahi ho paayenge,toh maayus ho wo sab wapas EARTH lout gaye...





PLANET- EARTH




PLACE-OUT SIDE OFFICE






AKASH SIR,HARPREET SIR.....MR JAIRAJ SINGH aur unki patni MINAKSHI SINGH ki car accident ke haadse me hui mout ke baad ab tak aap dono ki hi taraf se ab tak actual me hua kya tha,is baare me koi statement nahi aayi hai....

yahan tak ki us haadse ke baad unke bete MR VIKRAM JAIRAJ SINGH bhi laapata hain..itne serious issue par bhi aap aur apki families chuppi saadhi hui hai....aisa kyun?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





jaise hi AAKASH aur HARPREET apne office se baahar nikle,gallery me khade media ke bando ya fir ye kahun ki media ki bheed ne un dono ko gher liya aur dono ke mooh me mike thoos apni apni baat kehne lage...


jo farm house me hua tha,wo toh duniya ko bata nahi sakte the,isiliye RONIT ne JAIRAJ aur MINAKSHI ke CLONES bana unhe unki car me daal us car ko LONAVLA ke slippery raston ke side me bani ek khayi me girwa diya tha...jisse har taraf ye baat faili ki JAIRAJ aur MINAKSHI ki accident me mout ho chuki hai....

us din se lekar aaj tak media waale us haadse ka pura sach HARPREET aur AKASH se janana chahte the par abhi tak wo isme kaamiyab nahi hue the...

aur aaj bhi wo sab AKASH aur HARPREET ke office ke bahar unka wait kar rahe the aur jaise hi wo dono bahar nikle,toh ye sab pahunch gaye apne sawalon ke saath..



wahin jaise hi media ke bande AKASH aur HARPREET ke paas pahunche,toh un dono ke body guards ne saare media ko side karne lage....

media ki side me hatahthe sekh AKASH aur HARPREET jaisa ki ab tak un dono ne kiya tha,bina kuch kahe aage badhne lage par tabhi.....



1ST REPORTER- kahin saari empire apne naam karne ki lalach me MR JAIRAJ aur unki patni ki mout aur saath hi unke bete ke yun achanak lapata hone me aap dono ka hi haath toh nahi hai.....



Yahan us reporter ke mooh se ye baat nikli,wahan AKASH aur HARPREET ke paon rook gaye..

dono sirf rooke hi nahi,balki wapas palaththe hue dono media waalon ke paas pahunch gaye.

media waalon ke paas pahunch dono ki nazar us reporter par tik gayi jisne abhi abhi ye ochi baat kahi thi...

us reporter ne ye baat AKASH aur HARPREET ko bhadkaane ke liye kahi thi,aur ab jab wo dono wapas media ke paas pahunch chuke the,toh usse laga ki uska bhadkana kaamiyab hua...

narazgi me hi sahi,ab usse ek chatpati news mil hi jaayegi magar.....



AKASH- tumhare ghar me kaun kaun hai???

REPORTER- jee...!!!!



AKASH ke sawal par wo reporter hadbada gaya tha....usse ummid nahi thi ki AKASH kuch aisa puchega???



AKASH- character ke saath saath kaan bhi kharab hai kya???maine pucha tumhare ghar me kaun kaun hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



REPORTER- ji mai,mera bhai meri patni aur mera beta..

AKASH-hmm...bhai kya karta hai tumhara???

REPORTER- jee college mai hai abhi...

AKASH- arre matlab bada ho gaya hai..duniyadari bhi Sikh gaya hoga.ek kaam karo,isse pehle ki tumhara bhai tumhe aur tumhari biwi ko maarkar tumhare bete ko gayab karde,police se kehkar shak ke binah oar usse andar karwa do...

REPORTER- ye kya bakwaas kar rahe hain aap???mera bhai mujhse bohot pyar karta hai???wo aisa kar hi nahi sakta...

HARPREET- waah bhai..apni family par baat aayi toh ghussa aa gaya....aur abhi thodi der pehle jo tu bol raha tha wo kya tha???

haathon me mike aur gale me awaaz aur sawal puchne ka license mil jaane par kya kuch bhi bolege tum log...

humare dard,taklif sabka mazak banaoge tum sab...!!!!hamare mooh me mike thoos jo bakwas tum sab karte ho,waisa hi agar tum sabke saath ho toh kaisa lagega tum sabko???

jo guzre hai wo bhai aur bhaabhi the humare aur jo gayab hua hai naa,wo humare liye humare apne bete se badhkar tha...jo dard is waqt humari family me ho raha hai,usse feel kar sakte ho kya tum sab???

kyun statement den hum tum logon ko...ho kaun tum log???kyunki hun entrepreneur hain,public figure hain toh kya iska ye matlab hai ki hum apne dukhon ki bhi marketing karen...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?

AKASH- chhod HARPREET...ye nahi samjhenge...in sabko toh inke kaam ka matlab hi nahi maalum..aise me sahi cheez ki ummid inse kar bhi kaise sakte hain...

media ka chola odh ye sab gunda gardi karte hain..dusro ki personal life,unke emotions ka dhandha karte hain aur aise me jab koi bhadke toh usse hi galat thehrate hain...

lekin ek baat sun lo be tum sab..dobara agar humare ya humari family ke aas paas bhi tum me se koi dikha naa,toh ye jo bodyguards dikh rahe hain naa,ye abhi tak toh sirf tum sabko rok rahe hain,par fir aaj jaisa kuch hua naa toh rokenge nahi utha utha kar patkenge tum sab ko....



ye bol ek baar aur media waalon ko ghur kar dekh AKASH aur HARPREET wapas mood apni car me baith nikal gaye...

wahin batti padne ke baad reporters bhi ek ek kar chup chap apne apne raaste nikal gaye....





PLACE-AHUJA'S MANSION





kya dekh rahi hai babes....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

??firse wahi....!!!!JAIRAJ uncle aur MINU aunty ka news toh pichle 1 mahine se national topic ban gaya hai....

kyun isse baar baar dekh khudko lagatar upset kar rahi hai tu?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

!!!!!



AVANTIKA jo is waqt news me JAIRAJ aur MINU ke saath hue haadse ke baare me sun rahi thi,achanak uske puche se ya awaaz ubhri jo ki aur kisi ki nahi SHANAYA ki thi...

AVANTIKA SHANAYA se kuch kehti usse pehle hi tv par VIKRAM ke baare me batane lage...

VIKRAM ke missing statement ke saath uski pic bhi dikhayi jaa rahi thi aur us pic ko AVANTIKA bade pyar se dekh rahi thi aur ye baat SHANAYA ne bhi note ki....



SHANAYA- u miss him....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?dont u?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





SHANAYA ke sawal par AVANTIKA tv off kar uski taraf palti aur.....



AVANTIKA- why do u say so?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



SHANAYA- mai toh ye bhi bata sakti hun ki u are in love with him....

AVANTIKA- correction..we are in love with each other....



SHANAYA ko ab tak AVANTIKA ne apne aur VIKRAM ke baare me kuch nahi bataya tha..

koi aur waqt hota aur AVANTIKA ne ye baat kahi hoti toh SHANAYA ab tak AVANTIKA ke upar kood chuki hoti....

usne AVANTIKA par apne sawalon ki jhadi laga di hoti par abhi filhal jo condition tha,usme SHANAYA ne aisa kuch nahi kiya...

wo jaanti thi ki AVANTIKA ka filhal state of mind thik nahi hai....



SHANAYA- jis din uncle aur aunty ke saath haadsa hua tha,us din tu bhi unhi ke saath thi naa?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



AVANTIKA- hmm....

SHANAYA-issi haadse ke just baad V.J gaayab hua tha naa...!!!



is baar AVANTIKA ne kuch kaha nahi bas haan me spna sir hilaya..par in kuch seconds me hi AVANTIKA ke chehre par dard ke bhaav aane lage the...

uski aankhon ke saamne wahi soch se pare manzar chalne laga tha jab VIKRAM ko apne mom dad par khud killing ray chhodna pada tha...

wo aatma tak ko chalni karne waali VIKRAM ki rudaan usse apne kaano me sunayi dene lagi thi jisse VIKRAM ne gayab hone se pehle zaahir kiya tha..

AVANTIKA ko pata hi nahi chala ki wo sab yaad aate hi kaise achanak apne aap uski aankhon se paani nikalne laga....

SHANAYA ko bhi laga ki usne AVANTIKA se galat waqt par galat sawal puch liya hai aur isiliye......



SHANAYA- sorry babes..mera intention tujhe hurt karne ka nahi tha...maine toh ye sawal bas isiliye pucha tha taaki ye jaan sakun ki jaane se pehle shayad VIKRAM ne kuch aisa kaha ho jisse pata lagaya jaa sake ki wo kahan hai???

AVANTIKA- wo mere dil me hai..aur mere liye itna hi kaafi hai...aur raha sawal uske yun gayab hone ka toh wo gayab nahi hua hai,jo hua us jhatke se ubharne ke liye usse kuch time chahiye,isiliye bas kuch waqt ke liye wo akela rehna chahta hai...

yahan rehta toh jo media circus chaalu hai,usme usse bhi ye sab dhakel dete..uska dard kam hone ki jagah aur badh jaata...aise me wo in sabse door hi rahe wahi thik hai...



ye bol apne chehre ko dhone ke liye AVANTIKA wash room jaane ke liye uthi....



SHANAYA-tune jawab nahi diya...do u miss him?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png





SHANAYA ke sawal ko sun AVANTIKA palti aur.....



AVANTIKA- jawab toh de diya tha par tu samjhi nahi.....

maine kaha naa ki V.J mere DIL me hai....aur itna hi kaafi hai.....jaanti hai V.J mujhe kis naam se bulata hai???

AV....A matlab AVANTIKA aur V matlab VIKRAM...jab naam alag nahi hai toh fir hum dono bhala kaise juda ho sakte hain...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?

mai V.J me hun aur V.J mujhme..jo mujhme samaya hai usse miss kaise karun???

haan ye baat zaroor hai ki physically wo mere paas nahi hai par saath hone ke liye paas rehne ki zaroorat nahi padti...

thik waise hi jaise GOD se judne ke liye unke saamne jaane ki nahi bas unhe mehsoos karne ki zaroorat hoti hai.....

aur waise bhi ISHQ ka toh dusra naam hi KHUDA hai...ibadat ki zaroorat hai,wo toh mai kar hi rahi hun...

samjhi duffer......



muskurate hue apni baat khatm kar AVANTIKA palti aur washroom ki taraf badh gayi...

wahin AVANTIKA ke wash room me ghusne ke baad.....



SHANAYA- ISHQ ka ek aur naam bhi hai....





VIKRAM.......AVANTIKA........





PLACE-SOME WHERE IN UNIVERSE




PUTR......



antariksh ke ek aise andhere kone me jahan roshni ki lesh maatra bhi sambhavana nahi hai,wahan mai chupchaap baitha hua tha....

aaj karib ek mahine ho gaye the mujhe yahan aaye hue....yahan aane ke baad maine ANGELS aur baaki har kisi se khud ko kaat saa liya tha...

koi agar chaahe bhi toh bhi mujhe dhund nahi sakta tha....waise toh andhera aksar logon ko darata hai,par mere liye ye andhera ek dost ki tarah tha jiske aagosh me mai pure bramhaand ki nazaron se chhup gaya tha...

par aaj ek mahine baad is andhkar se uski pehchaan chhinane ke liye achanak ek aisi tez roshni chamki maano ek saath hazaron surya roshan ho gaye hon....

aur jo roshni achanak uday hui thi,usme ek aisi urja thi jo pure bramhaand ko ek pal me 1000 baar khatm karne ki taakat rakhti thi...

khair,us aseemeet urja se bhari roshni ne jaise hi mere chehre ko chua,toh har taraf PUTRA naam ki dhwani gunj uthi...

ye awaaz aur kisi ki nahi GOD ki thi jisse sunkar mere chehre par ek fiki si muskaan naach gayi....

bina kuch kahe,apni jagah par khada ho mai dusri taraf palat gaya.....



GOD-KYA BAAT HAI PUTRA,PEHLI BAAR MAI TUMHARE SAAMNE HUN AUR TUMNE MUJHSE MOOH MOD LIYA....

KYA APNE PITAH KI TARAF DEKHO BHI NAHI.....



MAI-mere pitah ka naam JAIRAJ SINGH hai......



GOD-MAINE KAB INKAAR KIYA...YE TOH SATYA HAI....PAR EK SATYA AUR BHI HAI AUR WO YE KI TUM MERE BHI PUTR HO...

PAR MAI DEKH RAHA HUN KI HAMESHA SATYA KI RAAH PAR CHALNE WAALE MERE PUTRA NE IS SATYA KO AB TAK MAANA NAHI HAI....



MAI- SATYA ke kayi chehre hote hain...jo jis chiz ko jaise dekhta hai,uske liye wahi chiz uska SATYA ban jaati hai....



GOD-IS AADHAAR PAR TUMHARA SATYA KYA HAI PUTRA....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?



MAI-yahi ki mai ek aam insaan tha jisse uski insaniyat chhinkar usse BHAGWAN ke jaisa darja milne laga...

jiski ek hi zimmedari thi..aur wo ye thi ki usse ache se apni shiksha puri karni thi...

aur jab wo shiksha puri hoti toh usse apne PITAH ka kaam sambhalna tha....

ek sadharan si zindagi jisme wo hota,uske maata pitah hote,uski priyasi hoti,uske dost hote aur bas..dekhte hi dekhte zindagi kat jaati....



GOD-TUM JIS SATYA KI BAAT KAR RAHE HO NAA PUTRA,WO MAATRA EK VAHAM KE ADHAAR PAR TIKA HUA HAI....

CHALO MAI TUMHARI HI KAHI BAATON SE IS VAHAM KO DOOR KARTA HUN...



TUMNE KAHA KI TUMSE TUMHARI INSAANIYAT CHHEENKAR BHAGWAN JAISA DARJA MILNE LAGA...

PUTRA,BHAGWAN KO BHAGWAAN BANANE KA AADHAAR HI INSANIYAT HAI...

IS EHSAAS KA PRARAMBH HI PARMESHWAR SE HOTA HAI...



TUMSE TUMHARI INSAANIYAT CHEENI NAHI GAYI,BALKI ISHWARIYA SHAKTIYON KE VARDAAN SWAROOP TUMHE IS BHAVNA KO EK NAYE CHARAM PAR PAHUNCHANE KA MOUKA MILA...

APNE MAARA PITAH KE UPAR BRAMHAAND KO RAKH TUMNE IS BHAVNA KA UDAHARAN BHI DIYA....

AUR RAHI BAAT TUMHARI SADHARAN JEEVEN BITANE KI,APNI SHIKSKA PURN KAR APNE PITAH KA KAARYA BHAAR SABHALNE KI TOH PUTR,TUM MAANO YA NAA MAANO,TUM HO TOH MERE HIPUTRA.....

SADHARAN TOH TUM APNE BAALYA KAAL SE HI NAHI THE...AUR MERE PUTRA HONE KI WAJAH SE JO SHISKHA TUMNE GRAHAN KI HAI,WO TOH TUMHE KARNI HI THI AUR AB JO TUM KAR RAHE HO,WO SIRF MERA UTTARADHIKARI HI KAR SAKTA HAI....



TUMHARI SAARI MAANG SAHI HAI,BAS TUM YE NAHI DEKH PAA RAHE KI YE SAARI MAANG PEHLE HI PURI HO CHUKI HAI....



GOD ki baat puri hone ke baad bhi jab mai chup raha toh........





GOD-HAR TARK KA VITARK RAKHNE WAALA MERA PUTRA AAJ KHAMOSH HAI....!!!!AB AISA TOH HO NAHI SAKTA KI TUMHARE PAAS MERI BAATON KA JAWAB NAA HO...



MAI- jab do soch do dishaon me bhaag rahe hon,toh tark vitark ka koi matlab nahi reh jaata....



GOD- GRAHON KA GOL HONA KUCH SIKHATA HAI PUTR...AUR WO YE KI BHALE HI DO LOG ALAG ALAG DISHA ME BHAAGEN,UNHE KITNA HI VISHWAAS HO KI WO EK DUSRE SE DOOR HO RAHE HAIN,KINTU AAKHIR ME WO DONO GOL GHUMTE HUE EK DUSRE SE MILTE HI HAIN....

THIK WAISE HI DO ALAG ALAG SOCH KA ALAG ALAG DISHA ME JAANE KA YE ARTH NAHI KI UNME VAARTALAAP NAHI HO SAKTA..

BAS NAZARIYE KI BAAT HAI...KHAIR,TUM BAAT NAHI KARNA CHAHTE TOH KOI BAAT NAHI PAR MAI TUMHE KUCH DIKHANA CHAHTA HUN...

KAMSEKAM DEKH TOH SAKTE HI NAA...



GOD ke is statement ke agle hi pal mere har taraf kuch drishya dikhne lage.....



( NOTE:-JO DRISHYA ABHI GOD VIKRAM KO DIKHAYENGE,WO 100 % GENUINE HAI...YE KAHANI BHALE HI KAALPANIK HAI PAR ABHI JO BHI BATAYA JAAYEGA WO HAMARE HI SAMAAJ ME GHATNE WAALI SAACHI PAR GHINOUNI GHATNA HAI )




PEHLA DRISHYA:-



GOD- IS CHALCHITRA KI GHATNA KO DEKHO PUTR....YE PRATAP GARH KI GHATNA HAI..YE JO 6 SAAL KA BAALAK DEKH RAHE HO NAA,DIN KE UJALE ME HI KUCH DAKAITON NE CHORI KARNE KE PASHCHAT IS MAASOOM KE MAATA PITAH KI GOLI MAARKAR HATYA KAR DI THI.....




DUSRA DRISHYA:-


GOD- IS DRISHYA ME JO GHATNA DIKH RAHI HAI PUTRA ISME EK 12 SAAL KE MAASOOM BACHE KO KUCH JIHADIYON NE NIRMAMTA KE SAATH GOLI MAAR DI....ISKE MAATA PITAH INSE APNE BACCHE KO CHHODNE KI GUHAAR LAGATE RAHE PAR INKE HRIDAY ME US GUHAAR SE KOI DAYA NAHI JAAGI....




TEESRA DRISHYA:-



IS GHATNA KE BAARE ME KYA KAHOGE PUTRA????INSAN DEVILS SE KAYI GUNA ZYADA KHATARNAAK HAIN,YE DRISHYA IS BAAT KO SAABIT KARTA HAI...



EK MAASUM BACHI KE SAATH GHRINIT KAARYA KARNE KE BAAD ISKI AANKHEN AUR SHARIR KE ANG KO NIKAL DIYA GAYA.....

HAIWANIYAT KI AISI GHATNA JISKI KALPANA TAK NAHI KI JAA SAKTI,USSE HAQIQAT ME ANJAAM DIYA GAYA HAI....

GOD ke dikhaye pehle do drishya dekh maine badi mushkil se apne aansu roke the par aakhri drishya ke aate hi wo aansu rook nahi paaye ayr baahar nikal pade...

wahin saare drishya dikhne ke baad wo chalchitra band ho chuka tha.....



GOD- KUCH KEHNA NAHI CHAHOGE PUTR???



apne aap ko control me laa......



MAI- har sikke ke do pehlu hote hain....



GOD- JO HORAHA HAI WO USSI DUSRE PEHLU KI HI WAJAH SE TOH HO RAHA HAI....



TUMHARA SAFAR APNE GANTAVYA PAR PAHUNCHNE WAALA HAI PUTRA.....



SAMAY AA GAYA HAI......



ye bol GOD gayab ho gaye aur uske agle hi pal mai bhi gayab ho chuka tha.....






PLANET- ***********




PLACE- ***********





LORD AAP.......!!!!!!!!!



antariskh ke us andhere kone se nikal mere safar ko uski manzil tak pahunchane ka waqt aa gaya tha aur isiliye mai sidhe ek aisi jagah pahuncha jahan pahunchne ka waqt bhi chuka tha..

mujhe apne saamne dekh saamne waale ko shock laga tha...

mere samman me jhuke us bande ko utha maine kuch kaha aur kuch kiya.....



UNKNOWN- chalen???



MAI-pehle jo kaha hai wo toh karo..aur waise bhi,wo jis jagah par hai,wo jagah abhi chuppi hui hai..ek baar mai usse dhund lun,fir tumhe bulaunga...

tab tak jo kaha hai,uspar apna dhyan kendrit karo....



UNKNOWN- JEE LORD........



mai palta aur......




MAI-AB IS KHEL KO KHATM KARTE HAIN.

ASMODEUS,MAI AA RAHA HUN.....

 
Member
278
52
28
FINAL CHAPTER






( DEVILS DEMOLITION )




LAST SECOND MEGA UPDATE







EK AUR BAAR TUJHE APNI
HASTI DIKHANI HOGI,

TERE DIL SA EK AUR DIL HAI,
AAJ USKI BHI KURBAANI HOGI



TERE RISHTE KE RISHTE NE APNI
JAAN KO WAHAN CHUPAYA HAI

JISNE KHUDA SE PEHLE SABKO KHUDKE
SAAMNE JHUKAYA HAI...



HAAR KAR YE BAAZI TUJHE PURA
JUNG JITNA HOGA

DUSHMAN KO MAARNE KE LIYE PEHLE
TERE DOST KO MITNA HOGA...



ye thi dusri BHAVISHYAWAANI.....



GOD se baat hone ke baad jab mai ek dusri jagah pahuncha,toh wahan se rukhsat hone se pehle hi mere man ke andar hi meri dusri BHAVISHWAANI ne khud ko ujagar kiya tha......

aur jiska matlab mai achi tarah se samajh gaya tha....jo kaha gaya tha,usse hona hi tha aur is baare me mai sirf wahi kar sakta tha jo har kisi ke liye sahi hota...

khair,BHAVISHWAANI samajh aage kya aur kaise karna hai,in sab baaton ko dimag me baithaye mai apni jaan se milne ke liye gayab ho gaya.....





PLANET-EARTH




PLACE- AHUJA'S MANSION










JO KHAYAL ME DOUD RAHA HO,JAB WO KHUD SAAMNE AA JAAYE,TOH KHAYAL KO AARAAM DE DENA CHAHIYE.....



AVANTIKA jo apne bed par peeth ke bal leth aanken band kar apne hi kisi khayal me khoyi hui thi,jaise hi uske kaano me ye awaaz padi,toh uski aankhen jhat se khul gayi.....

ek pal ke liye uski dil ki dhakan badhi aur ussi dhadakte dil ko sambhalte sambhalte wo turant uth baithi...

aur jaise hi uski nazaron ne saamne khade shaksh ka didaar kiya,toh ek mahine se chayi uske chehre ki udaasi jaise ek second me hi gayab ho gayi...

jin aankhon me viraniyan tair rahi thi,unhi aankhon me achanak hi chamak naachne lagi....uska wo sharir jo ek hi jagah par pada pada alsa sa gaya tha,usme achanak kisi athelete jaisi furthi aa gayi....

aur ye sab isiliye hua kyunki uske saamne uske khubsoorat chehre ko nihaarta hua mai jo khada tha....

mujhe apne saamne dekh AVANTIKA jhat se apne bed se uchal si gayi aur agle hi second wo mere baahon me thi....

uski baahon ki jakad mere charon taraf itni sakht si ho rakhi thi maano wo mujhe apne andar sama lena chahti ho.....

mere seene par uska sir tha..waise toh mera DIL wo khud thi par is waqt meri dhadkan ke upar apne chehre ko tika usse nikalne waali dhak dhak ki awaaz ko meri AV sirf sun nahi balki puri tarah se mehsoos kar rahi thi...

darasal us dhak dhak ki awaaz se wo is baat ko confirm kar lena chah rahi thi ki mai sach me uske saamne hun....

sirf ek mahina hi door raha tha mai usse..par jis kisi ne bhi apni zindagi me pyar ko mehsoos kiya hai wo ye achi tarah se jaanta hoga ki jiske chehre ko dekhe bina ek din nahi katata,jab wo ek mahine se aapki nazaron se gayab ho,

usse dekhna toh door jab aap uski awaaz tak naa sun paayen hon,toh ek aisa adhurapan mehsoos hota hai jo bande ko jeete ji maarne ke liye kaafi hota hai...

shayad meri dhadkano ko sun AV khud ko zinda kar rahi thi.....

mai jaanta tha ki AV is ek mahine me ek baar bhi dhang se nahi soyi hai...saari raatein uski karwatein badalte hue hi nikli hai....

24 ghante sirf bechaini hi mehsoos ki hai meri AV ne...

aur ab jab mai uske saamne hun aur wo mujhse lipti hui hai,uska chehra jo mere seene ko apna aashiyana banaye hue hai aur uske aankhen jo is waqt aansuon se bhare hue hain,aur jo halka halka chalakte hue mere shirt ko bhigoye jaa rahe hai,mujhe apni AV ke is ehsaas me ek ajeeb sa sukoon mil raha tha....

maine usse chup karane ki koshish nahi ki kyunki is waqt jo aansu uske aankhon se baahar nikal rahe the,unka baahar nikal jaana zaroori tha....

kyunki ye aansu apne saath us dard ko bhi baahar kheench kar fek rahe the jisse meri AV guzri thi....

kuch waqt tak mujhse lipte hue yunhi chup chaap aansu bahane ke baad jab AV ka man kuch halka hua toh apne khubsoorat chehre ko halka utha wo mujhe dekhne lagi....

darasal wo meri aankhon me us dard ko khoj rahi thi jisse usne 1 mahine pehle dekha tha...

par is waqt meri aankhon me sirf wo khud thi toh aur kuch usse milta bhi toh kaise????



MAI-"meri aankhon me kuch aur kyun dhund rahi hai tu.....?????

tera aks moujud hai,kya itna kaafi nahi!!!!"




meri baat ya fir ye kahun ki itne arse baad mere mooh se shayri sun AV ke chehre par meri rooh ko sukoon pahunchane waali smile aa gayi....

par usne kuch kaha nahi,bas mujhe ek tak dekhti rahi....

mai jaanta tha ki uske man me kya sawal chal raha hai aur isiliye....



MAI-mai thik hun AV.....



meri baat sun ek baar fir se AV muskura uthi par is baar us muskurahat me sirf khushi nahi balki santushti bhi thi....



AVANTIKA- i missed u.....



bas itna hi kaha is pagli ne aur firse meri baahon me simat gayi....



MAI-mujhe khone ka dar lag raha tha tumhe...????

AVANTIKA-tum kahin khudko hi naa kho baitho,is baat ka dar tha....



MAI-"tera chehra ghumta rehta hai meri aankhon ke saamne,

aise me bhala hum khudko khoyen bhi toh kaise????"




AVANTIKA-mai jaanti hun tum bohot strong ho...par kamsekam mere saamne toh apne dard ko mat chupaao...


jitna isse apne andar rakhoge,utna ghutoge...aur mai tumhe ek baar rote hue dekh sakti hun,par andar hi andar tadapte hue nahi dekh sakti....

MAI-jo tadap thi,wo tumhe dekh kar kam ho chuki hai AV..aur jo bachi hai,usse waqt khatm kar dega....

par tumhari tadap ka kya???ye kaise khatm hogi???

AVANTIKA- meri tadap???

MAI- tumhari aankhen mujhe tumhare dil ka haal bata deti hain AV....

aur unhi aankhon me is waqt tumhare dil ki tadap dikh rahi hai....is tadap ko khatm karo AV....jitni der ye tumhare andar rahegi,utni der tak mai bechain rahunga....

AVANTIKA- tumhare mom dad mere bhi mom dad the V.J....kaise taklif naa ho???aur mai tumhare jaisi strong bhi nahi hun jo khudko normal dikhaun....????

MAI-tum mujhse kayi guna zyada strong ho AV....tumhari taklif bhi jaayaz hai par filhal ye waqt us taklif ko nazarandaz kar jo nayi takilfen saamne hain,un par concentrate karne ka hai....



AVANTIKA ab tak meri baahon me simatkar hi baatein kar rahi thi par ab jab usse ehsaas hua ki mai wapas working mode me aa gaya tha toh wo mujhse alag hui aur....



AVANTIKA- nayi taklifen!!!!!

MAI- hmm..jo mom dad ke saath hua,wo kisi aur ke saath bhi hone waala hai...



meri baat sun AVANTIKA ko jhatka laga...



AVANTIKA-KYA????kiske saath?????

MAI-*********.........



mere mooh se naam sun AVANTIKA ko ek baar firse jhatka laga tha.....



AVANTIKA-par......wo kyun???????

MAI- khud socho...samajh jaaogi.....



meri baat sun AVANTIKA us naam ko jisse maine liya tha,apne dimag me rakh sochne lagi aur kuch der tak chintan karte rehne ke baad uske maathe ke bal kam hone lage jiska matlab tha ki usse apne sawal ka jawab mil chuka tha....



AVANTIKA-oh shit.....is taraf toh mera dhyan gaya hi nahi tha....

MAI- ab toh chala gaya....

AVANTIKA- haan..par iska solution kya nikala hai tumne???

MAI-jo hoga,wahi solution bhi hai...

AVANTIKA- matlab???



AVANTIKA ke sawal par mai kuch der tak usse dekhta raha par fir ek lambi saans kheench...



MAI- mera haath pakdo.....



jahan ye bol maine apna ek haath aage kar diya.........

wahin mere yun achanak aisa kehne se AVANTIKA ke maathe par ek baar firse sawalon ke bal aaye par wo jaanti thi ki mai kuch bhi yunhi nahi kahunga aur isiliye....

usne apne ek haath aage badha mera haath thaam liya par tabhi...

ek dhundli si ray AVANTIKA aur mere sharir se nikli aur fir gaayab ho gayi...

MAI-tumhe kuch batana hai....

AVANTIKA- kaho.....



ek pal ke pause ke baad mere lab hile aur mai AVANTIA ko kuch baatein batane laga...

jo mai bata raha tha,wo baat thodi lambi thi..kuch 10 minute baad jab maine apni baat puri ki.....



MAI- isiliye maine kaha tha ki jo hone waala hai,wahi solution hai....samjhi.....!!!!!



par meri baaton ko AVANTIKA pura nahi samajh paayi thi aur saath hi uske kuch aur sawal bhi the jo usne mujhse pucha aur maine un sawalon ka jawab diya..

khair,apne man me uth rahe saare sawalon ke jawab milne ke baad.......



AVANTIKA- toh ab MONSLICKEL.....!!!!!

MAI-haan par usse pehle ghar chalte hain...tumhari hi tarah saare ghar waale bhi mere gaayab hone se tention me hain...

aur waise bhi RONIT aur ANJALI bhi toh hamare is aakhri ladhayi ke saathi hain...

AVANTIKA- sirf RONIT aur ANJALI...!!!!DEFENDER,MOKALSAR,AKSHAANT aur SHAILA bhi toh is aakhri safar ke raahi hain..

MAI- wo sab raahi already apne pehle STOP par pahunch chuke hain..aur ab hume bhi nikalna chahiye...

AVANTIKA-chalen fir.....!!!



AVANTIKA ke kehte hi hum dono gayab ho chuke the aur jaisa ki hamesha hua hai,humare gayab hote hi AVANTIKA ke room me uski CLONE aa chuki thi.....








PLACE-KAVITA'S MANSION





IN MEDIA WAALON NE TOH NAAK ME DUM KAR KAR RAKHA HAI...JAHAN DEKHO,WAHAN PAHUNCH JAATE HAIN....

UPAR SE HAMARE BACCHE BHI HAMESHA BAAHAR HI REHTE HAIN...JISKE PICHE YE JAA RAHE HAIN,KAHIN WO INHE BHI.....



INHE BHI KYA MOM??????



RONIT ki mom ne apni baat adhuri hi rakhi thi par tabhi unke kaano me us baat ko puri karne ki ek awaaz padi jo ki aur kisiki nahi RONIT ki hi thi....

MONSLICKEL me BEELZEBUB dwara roke jaane ke baad VRIHAKH VAASI apne ghar ki taraf,DEFENDER apne ghar ki taraf aur RONIT aur ANJALI yahan KAVITAS MANSION me pahunche....

is waqt yahan par lagbhag sabhi moujud the..mere naana naani bhi....ek mahine pehle ghate haadse ke baad NAANA,NAANI toot se gaye the..

wo mumbai me rehna nahi chahte the aur isiliye DHAWAL GRAH loutna chahte the...

par RONIT unke is faisle par naaraz ho gaya aur usne apni kasam dekar un dono ko yahin apne ghar par rakh liya....

wahin mom dad ke jaane ke baad unke itne bade empire ko sambhalna bhi tha..haalaki AKASH uncle aur HARPREET uncle toh the hi par un dono ne mere ghar se mere maamaji ko apne saath milana sahi samjha.....

isiliye maamaji aur maamiji apne bete aur AASHI ke saath mere hi ghar par hain...

hall me baithe sabhi baatein kar rahe the aur tabhi news me HARPREET uncle aur AKASH uncle ki media se hui behes ko dikhaya jaa raha tha jisse dekh KAVITA aunty ne apni pratikriya di jisse RONIT ne sun liya tha....



R/MOM-aa gaye mere bacche...pata nahi kahan kahan ghumte rehte ho tum dono..chalo,haath mooh dho lo,mai tum dono ke liye kuch khaane ke liye laati hun....

RONIT-pehle apni baat puri kijiye mom...inhe bhi kya???



RONIT ne ye baat halki naarazgi me kahi thi jisse sabhi ne bhaamp liya tha....



R/MOM-beta mai toh bas yahi keh rahi thi ki...

RONIT- kahin ASMODEUS humare saath bhi wahi naa kare jo usne uncle aur aunty ke saath kiya tha....

ANJALI-arre yaar,AUNTY ko bas hamari fikr ho rahi hai aur kuch nahi...

RONIT- nahi chahiye mujhe aisi fikr jo mujhe us ASMODEUS ke peeche jaane se roke...

jo guzre hain,wo mere liye aap dono se kam nahi the aur jo laapata hai,use bhale hi aap yunhi kehne ke liye beta kehte honge par wo mera BHAI hai....

R/MOM-ye tu kya bole jaa raha hai???VICKY mere liye tujhse kam nahi hai...

RONIT- agar aisa hota toh aap sirf meri hi fikr nahi karti....par aap usse koi darja de na den par mai uske liye kisi se bhi bhid jaaunga fir chaahe natija kuch bhi ho....



RONIT ki baat sun uske pitah ke chehre par apne bete ke liye ek garv bhari smile aa gayi...

waise aunty bhi mujhse bohot pyar karti hain aur jo unhone kaha tha,wo bhi apni jagah par sahi hi tha....

ab sabko pata tha ki ASMODEUS asal me hai kaun toh aise me apne bete ki fikr toh banti hi hai par jaisa ki hamesha hota hai,RONIT bhai sahab chizon ko sirf 1 hi angle se dekhte hain aur jab dusra angle samajh me nahi aaye toh daana paani lekar chadh jaate hain saamne waale par...

aur abhi bhi wahi ho raha tha.....



R/MOM- beta mere kehne ka wo matlab.....



REHNE DIJIYE AUNTY....YE NAHI SAMJHEGA......



aunty ki baat puri hoti usse pehle hi hall ke entrance se ye awaaz gunji jisse sun sabhi ke chehre us taraf chale gaye aur wahan khade shaksh ko dekh sabhi ke murjhaye chehre ek pal me hi khil chuke the....

aur in khile hue chehro me sabse zyada khila hua chehra tha RONIT aur ANJALI ka....



RONIT-BHAI.......

ye bol RONIT daudta hua aage badha aur mere paas pahunch jhat se mere gale lag gaya....



RONIT- saale,kahan gaayab ho gaya tha tu... hum dono ne tujhe khojne ki kitni koshish ki par tu hume dikha hi nahi....

MAI-ab toh aa gaya hun naa...ab chhod bhi saale,warna shak ke binah par ek saath do do breakups ho jaayenge.....



RONIT ke haththe hi ANJALI mere gale lag gayi...ab tak baaki saare ghar waale bhi hamare paas pahunch chuke the....

ANJALI ke hathne ke baad mai ek ek kar sabse mila...waise bhaavuk toh sabhi the par sabse zyada emotional is waqt naanu aur naani the...

mai jaise hi dono ke pair chune ko jhuka,toh dono ne hi mujhe jhukne se pehle hi wapas upar utha gale laga liya tha...




MAI-mai maafi ke kaabil toh nahi par fir bhi really sorry naani naanu...meri hi wajah se aaj aapke bache aapke saath nahi hain....



meri baat sun mere dono gaalon ko apne haathon me thaam...



NAANAJI- ek pal ke liye bhi sorry feel mat kar beta....jo hua usme teri koi galti nahi hai...wo sirf SHAITAN ki karni thi....

aur jo faisla tune liye,usse tune meri chhaati garv se aur fulaadi hai....JAIRAJ hamesha sach hi kehta tha ki uske bete jaisa duniya dusra koi nahi....

duniya me hi kya,tere jaisa toh pure UNIVERSE me hi koi nahi hoga....



naana naani mujhse naaraz nahi the,isse zyada mujhe aur kuch nahi chahiye the....

kuch der tak sabhi mujhe kisi bacche ki tarah dulaarte rahe par fir...



MAI-ab mujhe jaana hoga...ASMODEUS ke saath ye jo mere saare khel hain,unko khatm karne ka waqt aa gaya hai...KAVITA AUNTY,NEHA AUNTY,AKASH UNCLE,HARPREET UNCLE...

ab toh aap sab bhi jaante hain ki RONIT aur ANJALI dono ke hi paas ANGELS ki shakti hai....

par phir bhi agar aap sab nahi chahenge toh ye dono mere saath nahi jaayenge...



meri baat sun RONIT ne kuch kehna chaaha par maine usse haath upar kar kuch bhi kehne se rok diya...

wahin meri baat sun.....




R/MOM-beta,hum kehne ke liye hi tujhe apna beta nahi bolte balki dil se tujhe apna beta maante bhi hain....

A/MOM-haan VICKY...jitna hak hamara apne bacchon par hai ,usse zyada toh toh tum teeno ka ek dusre par hai....

R/DAD-jis din tune is ladhayi me utarne ka faisla kiya tha naa,ussi din se ye lkadhayi sirf tere akele ki nahi balki tum teeno ki ho chuki thi...

A/DAD-haan beta....tune aaj tak har competion jeeta hai...aur apne saath saath in dono mo bhi jeetwaya hai....

aaj hum chaahte hain ki jab tu ek baar fir jeete toh is jeet me ye dono bhi tere saath hon...

NAANU-beta jab baat paap aur punya ke beech ki ladhayi ki hona,toh haar aur jeet,ye lafz hi istemaal me nahi aane chahiye kyunki jo bhi sach ka,punya ka saath deta hai wo toh pehle hi jeet chuka hota hai....

NAANIJI-mai ye toh nahi jaanti ki kya hoga,par itna zaroor pata hai ki koi bhi cheez mere pote ko jhuka nahi paayegi....waqt ke hisab se hum chalte hain par aaj waqt mere pote ke hisab se chalega.....



Sabki baat sun unse aashirwaad le hum sab apne next destination me jaane ke liye ek dusre ke kareeb aaye hi the ki....




SAB-bas itna yaad rakhna ki....



YA TOH TUM SAB EK SAATH WAPAS AAOGE YA FIR KOI NAHI AAYEGA....



gharwaalon ki baat sun hum sabke chehre par muskurahat aa gayi aur agle hi pal hum teeno gayab ho chuke the......





PLACE-IN BETWEEN ISLA & WARRIORS WORLD





KYA BAAT HAI...SAB YAHIN HAIN...ARRE AVNI TU YAHAN PEHLE SE KAISE????



ghar se gayab ho hum teeno ISLA aur WARRIORS WORLD ke beech antariksh me pahunche jahan pehle se hi DEFENDER,AKSHAANT,SHAILA aur MOKALSAR khade the aur unke saath khadi thi meri AV jisse yahan pehle se dekh RONIT aur ANJALI shocked hue the...



AVANTIKA- hmm....ghar jaane se pehle hi V.J ne in sabko yahan par bula liya tha...
aur fir mujhe bhi direct yahin bhej diya...

actually V.J nahi chahta tha ki tum sab ke gharwaale ye dekhen ki mai bhi tum sabke saath jaa rahi hun...

unki nazar me toh tum sabke paas hi super natural powers hain par mai ek normal human being hun toh aise me wo mujhe tum logon ke saath jaane nahi dete....





ANJALI-V.J tu AVANTIKA ke baare me ghar me kyun nahi bata deta....jaise sab ab ye jaante hain ki tu GOD ka beta hai waise hi jab wo ye jaanenge ki GOD ne hi AVANTIKA ko teri shakti banakar bheja hai,toh wo bohot khush ho jaate...



MAI- in ek mahine me sirf tum dono ko hi dukh nahi pahuncha hai,tum dono ke mom dad mere naana naani maama maami sabhi bohot bure daur se guzre hain..

aur ye mat bhoolo ki hum teeno ki freindship se purani friendship hum teeno ke mom dad ki hai...

aise me AV ke baare me batana thik nahi hai......


RONIT- haan yaar ye bhi hai..khair chhodo...aaj nahi toh kal tum dono ke baare me sabko sach pata chal hi jaana hai toh uske baare me baat karke faida nahi....

abhi ka main sawal toh ye hai ki hume toh MONSLICKEL jaana hai fir hum yahan kyun aaye hain????



MAI-AAKHRI DAAV SE NIPATNE KI TAIYAARI.....



meri baat sun sabhi chownke....



SAB-AAKHRI DAAV....MATLAB????



MAI-arre yaaron aakhri daav hai...abhi se kaise bataun???abhi ke liye itna jaan lo ki mujhe tum sabki aur saath hi in sabke SHIELD ke kano ki zaroorat hai....

RONIT- inki kinki???oye teri.......


apne sawal ko puchte puchte RONIT peeche ghuma aur peeche mudte hi wo shocked reh gaya..

sirf wahi nahi mere baaki ke frnz aur DEFENDER bhi shocked the...

reason...un sabke peeche THE THREE MESSENGERS aur HAZARON ki taadad me ANGELS khade hue the....

jahan mujhe dekh wo sab neeche jhuk gaye wahin GODS MESSENGERS ko dekh DEFENDER aur mere friends unke samman me jhuk gaye....



MAI-khade ho jaaiye....is waqt hum ISLA aur WARRIORS WORLD ke beech khade hain..

WARRIORS WORLD ke ODRIDGE MOUNTAIN me moujud chattan ke andar kisi zamane me meri WHITE ENERGY ke kan the...

wahin ISLA me FOUNTAIN OF LIGHT ka waas hai..

inhi dono kaarano se COURIOUS ke baad ISLA aur WARRIORS WORLD pure BRAMHAAND me sabse zyada WHITE ENERGY ke dhaarak hain...

aur isiliye hi aap sabko ek saath bulane ke liye maine is jagah ko chuna....

har ANGEL ke paas apni ek SHIELD hoti hai..ek aisi SHIELD jisse koi NEGETIVE ENERGY bhedh nahi sakti...

mujhe aapse aapki ussi SHIELD ka kuch hissa chahiye....

ANGELS- jaisa aap kahen LORD.....



RONIT mujhse meri maang ko lekar sawal karna chahta tha par ANGELS ke awaaz aur unki baat sun usne bhi kuch na puchne ki sochi aur agle hi pal......

GODS MESSENGERS,ANGELS,aur mere doston ne apne apne dil ke upar haath rakh apni aakhen band ki aur tabhi.....

un sabhi ke seene ke upar ek tez roshni chamki aur dekhte hi dekhte wo roshni numa SHIELD un sabke seene se hoti hui baahar aakar ek jagah par rook gayi...

un urja roopi SHIELD ko agar door se koi dekhe toh usse aisa lagta maano taare timtima rahe hon.....

chamakte kamal ke phool ki shakal liye saare shield apni apni jagah par chamak rahe the...

jaise hi sabhi ANGELS ke SHIELD ke ansh baahar aaye toh.....




NIVASATI SAMAST GRAHAM SIMANTE

RESIDE AT ALL PLANETS EDGE



mere SPELL ke uchharit karte hi saare SHIELD ke ansh unverse k har living PLANET ke atmosphere ke edge me jaakar rook gaye....

aur issike saath mere aakhri daav ka astra maine chhod diya tha...ab bas uska target ko lagna baaki tha....

MAI-aapke sharir se nikli aapke SHIELD ka ansh is waqt kahan hai,kya aap usse mehsoos kar paa rahe hain???

SAB-jee LORD...

MAI-jab samay aayega tab aapko apne apne SHIELD ke ansh ko kaam me laana hoga....him jahan khade hain,yahan par moujud 2 shields me aapko apni apni urja deni hogi..


SAB-jee LORD....

MAI- aap sab jaa sakte hain...



mere kehte hi sabhi ek baar firse mere aage jhuke aur gayab ho gaye....



RONIT- bhai ab toh bata de ki aakhir tu kis cheez ki planning kiye baitha hai???

MAI-sabr rakh mere bhai....sab pata chal jaayega...filhaal tum sab wo jaan lo jo tum sabka abhi jaanana zaroori hai....



iske baad maine sabhi ko kuch baatein batayi jisse sun DEFENDER aur mere doston ka dimag kharab ho gaya....



MAI-jo hua,usse andaza laga lo ki ye kitna zaroori hai....

SHAILA-par....

MAI-nahi SHAILA...kuch chizen hokar rehti hain..unhe roka nahi jaa sakta...

DEFENDER-LORD...agar isse roka nahi jaa sakta toh kamsekam mujhe itni ijazat den ki uska ant mai karun???

MAI- mai ijazat de bhi dun tab bhi aap usse nahi maar sakte....aap kya mai bhi usse nahi maar sakta...



meri baat sun sabhi buri tarah se chownke...



SAB- kya??par kyun???

MAI-kyunki....................



fir maine unhe apni baat kehne ka reason bataya jisse sun un sabke chehre murjha gaye...



SHAILA- matlab uska kuch nahi ho sakta....

MAI- maine aisa toh nahi kaha....



ek baar firse meri baat sun sab ckownke the.....



SAB-matlab!!!!????

MAI- matlab ye ki........



fir maine sabko kuch bataya jisse sun sabki khush ho gaye.....



RONIT- ye hui naa baat...ab aaya tu purane form me.....maa kasam,ab aayega maza....

ANJALI- haan..aur ab zyada deri naa karte hue chalte hai apni mazil ki taraf...MONSLICKEL......

MAI-hmm.....



agle hi pal mere sharir se ek roshni nikli jiski aad me hum sab gaayab ho chuke the.....






PLANET- MONSLICKEL





PLACE-OUTSIDE ASMODEUS PALACE




BOOM....................




ek tez dhamake ke saath un DEVILS ki kaali aatma unki jism se kooch kar gayi......

toh hua ye ki jaise hi hum aathon yahan MONSLICKEL me ASMODEUS ke mehel ke baahar pahunche,toh hum sab ki aur khaas kar meri urja ka abhaas yahan ke rehwaasi DEVILS ne mehsoos kar li aur agle hi pal wo hamare saamne pahucnh gaye....

mujhe apne saamne dekh waise toh wo sab kaafi ghabra gaye the par us dar ko dikha wo ASMODEUS ke gunahgaar toh ho nahi sakte the isiliye apne dar par kaabu kar wo humari taraf doude....

par isse pehle ki wo kuch kadam bhi aage badh paate,ek tez dhamaka hua jiski chapet me saikdon DEVILS aa chuke the....



RONIT- ye hui naa baat....chalo,andar jaane se pehle in sabko nipta dete hain....

MAI- nahi...jaane dete hain inko....

RONIT- kya???par kyun????bhale hamare nahi,par ye sab bhi kisi na kisi ke rone ki wajah zaroor honge....

MAI-insaan ke rone ki wajah wo khud hai RONIT..ye DEVILS nahi..inke vichar tab tak kisi insaan par haawi nahi hote jab tak wo khud galat raah par naa chalna chahta ho..

khair,inhe jaane dene ki wajah ye nahi kuch aur hai jo baad me pata chal jaayega...

abhi ke liye inke jaana zaroori hai....



as usual,meri baat ka matlab toh koi samjha nahi par itna zaroor samajh gaye ki kuch na kuch logic zaroor hoga meri baaton me isiliye....



RONIT- thik hai fir..jaane dete hain...

MAI- jaane kya dete hain,dekh sabhi DEVILS bhaag chuke hain...



meri baat sun jab sabki nazar har taraf ghumi toh sabko wo jagah puri tarah se viraan lagi jiska matlab tha ki apne saathiyon ko yun ek second me marta dekh baaki ke DEVILS bhaag chuke the...

khair,har tarf nazar ghumane ke baad hum sab ASMODEUS ke mahal ke andar jaane ke liye chal pade...



ANJALI-V.J..agar tu chahta toh hume sidhe mehel ke andar enter kara sakta tha par tune hume mehel ke baahar prakat karwaya...

ye yunhi toh ho nahi sakta...haina....!!!!



ANJALI ki baat sun mai muskura diya....



MAI-hmm..mehel ke andar koi tab tak nahi jaa sakta jab tak ASMDOEUS khud naa bulaye..

isiliye maine hum sabko mehel ke baahar hi prakat karwaya taaki DEVILS hum sabko dekh saken....

AKSHAANT- par kyun???

MAI-taaki wo sab bhi wahan pahunch saken jahan ASMODEUS hai....

RONIT-matlab MEHEL ke andar....


MAI- nopes....ASMODEUS MONSLICKEL me nahi hai....

SAB-KYA????????

MAI- hmm.khud dekh lo....



ab tak hum mehel ke andar pahunch chuke the....aur mere kehte hi sabhi idhar udhar dekhne lage...

AVANTIKA ko chhod sabke paas divya drishti thi jiski madad se wo mehel ka chappa chappa dekh paa rahe the par har taraf dekhne ke baad bhi jab kisiko naa toh ASMODEUS dikha aur naahi jab kisine uski ENERGY mehsoos ki toh....



MOKALSAR- ye ASMDOEUS aakhir kaha chala gaya???

RONIT-zaroor kal ke hamare attack ke baad wo yahan se gayab ho gaya hoga!!!!

MAI- nahi..kal jab tum sab yahan aaye the tab bhi ASMODEUS yahan nahi tha..

ANJALI-shit...ab kya karenge...????

SHAILA- hamari hi galti hai....kal jab uska beta hamare saamne tha,agar hum usse kisi tarah bandi bana lete toh hum ASMODEUS tak zaroor pahunch jaate...

MAI- pehli baat toh aisa hota nahi aur iska reason mai tum sabko pehle hi bata chuka hun...

aur dusri baat hum ab bhi ASMODEUS tak zaroor pahunchenge.....

SHAILA- par kaise???

DEFENDER-jab LORD saath hain toh har cheez sambhav hai....

MAI- hmm..aur jaante ho ASMODEUS ke thikane par pahunchne ko sambhav kisne banaya hai???

SAB- kisne???

MAI- tum sabne....



meri baat sun sabhi chownke...



RONIT- humne!!!!par kaise????

MAI- kal tum sab yahan kaise pahunche the..???

RONIT- bhai tere gaayab hone ke baad se hi mai is PLANET ke grah binduon ko samajhne ki koshish me laga hua tha aur kal mai is kaam me successful hua...

aur jaise hi mere dimag me is jagah ke grah bindu aaye,hum sab yahan pahunch gaye...

MAI- wo grah bindu tere dimag me khud nahi aaye the,balki maine daale the...



ek baar firse sabko meri baat sun jhatka laga....



RONIT- kya bol raha hai bhai....????tune daale,par tune toh khudko hum sabse kaat liya tha naa...!!!!

MAI- maine tum sabko khud tak pahunchne se rok diya tha par mai tum sabko lagatar dekh raha tha...

aur kal jab mujhe laga ki mere loutne ka samay aa gaya hai toh maine tere dimag meMONSLICKEL ke grah bindu bhej diye....

RONIT- par kyun???tu khud bhi toh yahan aa sakta tha naa!!!

MAI-aa toh sakta tha par agar mai aata toh BEELZEBUB kabhi bhi saamne nahi aata...par mai jaanta tha ki agar tum sab yahan aao toh BEELZEBUB bekhouf hokar saamne aayega...

ANJALI- haan ye toh sach hai ki BEELZEBUB tere saamne kabhi bhi nahi aata par sawal toh ye hai naa ki tu ye sab chahta hi kyun tha???tera maksad kya tha???

MAI-maksad tha nahi hai..aur wahi hai jiske liye hum yahan aaye hain..ASMODEUS ka saamna jiske liye uske saamne aana zaroori hai....

yahan aane se pehle maine RONIT ke dimag me sirf is PLANET ke grah bindu hi nahi chhode the ,balki ek adrishya ray se bhi tum sabke sharir ko dhak diya tha...

ye ray ek kism ki rassi thi jisse BEELZEBUB ko mujhe bandhana tha....

aur jaise hi BEELZEBUB tum sabke saamne aaye,aur tum sabke saamne BEELZEBUB ke SHIELD bichane se pahle hi us ray ne tum sabke sharir se nikal BEELZEBUB ke sharir ko lapet liya...



ANJALI-wow...aur hume iske baare me pata bhi nahi chala...

MAI- aur naahi BEELZEBUB ko...SHIELD bicha BEELZEBUB sidha yahan mehel ke sabha me pahuncha tha aur yahin se wo gayab hua tha...

is waqt pure universe ke kisi bhi prakashit jagah par BEELZEBUB kahin bhi nahi hai..

iska matlab hai ki wo bhi wahin hai jahan is waqt ASMODEUS hai....

RONIT- iska matlab BEELZEBUB se lipta ray bhi uske saath ASMODEUS ka paas hoga..right!!!

MAI- nahi....jahan tak mera andaza hai,ASMODEUS jis bhi jagah par hai,wo ek mayavi duniya hai jisse ASMODEUS ne hi racha hai..isiliye wo ray wahan tak nahi pahunch sakti...

SHAILA- toh fir us ray se BEELZEBUB ko baandhne ka kya faayda hua??hamari manzil toh hume ab bhi nahi maalum...

MAI- manzil par pahunchne ke liye manzil ke baare me nahi balki us tak le jaane waale raaste ke baare me pata hona chahiye....

SAB-matlab!!!

MAI- matlab ye.....



apni baat keh maine apne haath failaye..mere aisa karte hi mere dono haathon se kuch ray nikal har taraf failne lagi..

ye search rays thi jo kisi ko dhund rahi thi aur kuch hi palon me un rays ko unki manzil mil gayi.....

RONIT- arre ye roshni kaisi????

ANJALI- aur ye ASMODEUS ke throne se kyun aa rahi hai.....

MAI- khud hi dekh lo....



mere bolte hi us chamakti roshni ke beech ek khaali jagah ban gayi jahan ek chalchitra chalne laga jisse dekh sabhi chownke....

ANJALI- arre ye toh BEELZEBUB hai....

MAI- hmm..aur jo scene tum sab dekh rahe ho wo kal ka hai aur ussi waqt ka hai jab BEELZEBUB apne pitah se milne ke liye gayab hua tha....



saamne scene ko dekhte hue maine apni baat kahi aur isse pehle ki koi kuch kehta,kuch aisa hua ki sabhi ek baar firse sabhi shocked ho gaye...

reason....

jo scene chal raha tha usme BEELZEBUB hamare saamne moujud ASMODEUS ki throne me baithta hai aur kuch kehta hai jiske uccharit hote hi us throne se ek roshni nikalti hai aur jab wo roshni kam hoti hai tab BEELZEBUB gayab ho chuka hota hai....



AKSHAANT- arre ye toh gayab ho gaya.iska matlab hai.....

SAB-ye throne hi us jagah tak pahunchne ka raasta hai....

MAI- jee haan...yahi hai wo raasta jo sidhe hume hamari manzil tak pahunchayegi.....

RONIT- bhai ab toh clearly bata ki ye sab kaise hua??i mean BEELZEBUB ne kya aur kaise kiya,ye hum kaise dekh paaye???

MAI-ussi ray se jisne kal BEELZEBUB ko baandha tha...

tum sab se niaptne ke baad BEELZEBUB yahan aaya tha aur uske saath saath mera ray bhi yahan pahuncha...

wo ray darasal ek drsihti urja thi jo BEELZEBUB ki har gatividhi ko note kar rahi thi aur jab tak BEELZEBUB yahan raha,usne kya kya kiya wo sab us ray ne record kiya...

BEELZEBUB toh gayab ho gaya par ye ray invisible mode me yahin reh gayi.....

aur abhi jo ray mere haathon se nikli thi,wo rays kal waali rays ke saath milkar wahin pahunchi jahan gayab hone se pehle BEELZEBUB aakhri baar ruka tha...

aur usne jo jo kiya,wo kal waali drishti rays ne hum sabko abhi dikhaya jisse hume pata chal gaya ki ASMODEUS hai kahan???

RONIT- bhai jab jab lagta hai ki tere saare paitre samajh me aane lage hain,tu kuch aisa karta hai jo pure dimag ko ghuma deta hai....

MAI- hahahaha..taarif baad me kar liyo,filhal apni manzil ki taraf badhen...

SAB-bilkul.........



hum sab aage badhe aur thik ASMODEUS ki raj gadhi ke saamne jaakar khade ho gaye..



MAI-DEFENDER,aapko kahin aur jaana hoga...



meri baat sun DEFENDER ke chehre par kuch asahajta ke bhaav ubhre jinka ubharna normal tha...

MAI-taklifdeh hai par zaroori hai...aur koi raasta nahi hai...



meri baat sun kuch palon ki khamoshi ke baad DEFENDER ke chehre par sakhti ke bhaav ubhre aur...



DEFENDER-jaisa aap kahen LORD....mai apna kaam khatm kar yahin se aapke paas pahunch jaaunga...

MAI- aapko dobara yahan aane ki zaroorat nahi padegi...jahan hum jaa rahe hain,wo tab tak hi chuppi hui hai jab tak mai wahan nahi pahunch jaata...

ek baar mai wahan pahunch jaaun,fir mai aapko kahin se bhi wahan sidhe bula lunga...

aap bas apna kaam khatm kar mujhe yaad kijiyega,agle hi pal aap mere saamne honge...


DEFENDER- ji LORD....ijazat den...



ye bol DEFENDER gayab ho gaye..unke gayab hote hi mai jaise hi palta toh dekha ki sabhi ek saath ASMODEUS ki raaj gadhi par baithe hue hain...

darsal ASMDOEUS ki raaj gadhi ka size bohot bada tha jisme 10 bande bhi ek saath baith sakte the...

shayad isiiye kyunki ye sirf ek rajgadhi nahi balki ek gupt maarg bhi tha...

khair,mai bhi sabke saath jaakar rajgadhi par baith gaya aur agle hi pal maine wo kaha jisse keh BEEZEBUB gayab hua tha......



PARALLEL WORLD......








PLACE-PARALLEL WORLD



THE FINAL BATTLE


ABBE TERI.....BADI KHATARKNAAK JAGAH HAI BHAI.....NAA UPAR AASMAN ME KOI CHAAND,NAA TAARE...ITNA SUNSAAN AUR YAHAN TOH MONSLICKEL SE BHI ZYADA THAND HAI.....



rajgaddhi me baith jaise hi maine hum sabne ek saath PARELLEL WORLD kaha,toh ek tez roshni hum sab ke ird gird chamki jisne hume khudme kheech is sard ko khudme lapete jagah par laakar khada kar diya....



MAI- ye ek mayavi jagah hai..iski rachna ASMODEUS ne ki hai par pata hai sabse mazedaar baat kya hai???

SAB- kya???

MAI-hum jis jagah par is waqt khade hain,ye ek behtarin maaya dwara MONSLICKEL ke andar hi banaya gaya hai...



meri baat sun sabhi ek baar firse shocked ho gaye....



ANJALI- oh..toh issi wajah se ASMODEUS aur BEELZEBUB teri nazaro me nahi aa paa rahe the...

MAI- haan...par ab ASMODEUS ko bhi mai mehsoos kar raha hun aur BEELZEBUB ko bhi.....

RONIT- badhiya...toh ab lage haathon ye bhi bata de bhai ki hum kis aur badhen...????

MAI- sidhe....saamne jo gufa dikh rahi hai naa,wahi hamari manzil hai....



maine saamne ungli kar ye baat kahi...meri ungli ki seedh me humse kuch 2 km door ek gufa thi jiske saamne filhal andhera tha par mere us taraf ungli dikhate hi wo jagah prakashit ho uthi.....



SHAILA- arre waah...toh der kis baat ki...chalen...

ANJALI- ek minute SHAILA.....hume jaldi nahi karni chahiye..kya pata humare swagat ke liye ASMODEUS ne kuch jaal bichaya ho...

MAI-jo asaani se bhaampa jaa sake,aisa jaal ASMODEUS kabhi nahi bunta...fikr mat karo,aage koi jaal nahi hai...hum nishchint hokar aage badh sakte hain.....

apni baat keh maine hum sabko hawa me utha liya aur agle hi pal hum sab us gufa ki taraf ud chale...

kuch hi palon me hum us gufa ke dwar jke saamne the....



RONIT- yaar,gufa ke entrance par toh pathar hai...

ANJALI- V.J andar khatra ho sakta hai...!!!

MAI- dekh lete hain......



BHANGAM

BREAK.....



mere SPELL uccharit karte hi mere haathon se ek moti si ray nikal sidhe gufa ke muhane par rakhe pathar par padi aur agle hi pal wo patthar chur chur ho chuka tha....

patthar ke tutane aur uske chur chur hone ki wajah se jo dhuan sa uth gaya tha,uske haththe hi hum sabne andar jaane ke liye apne apne kadam badha diye aur.....



WOW.......kya magic hai.....



ye RONIT ke alfaaz the....



REASON.....andar ka nazara hi alag tha..jo gufa baahar se choti si dikh rahi thi wo andar se bohot zyada badi thi...

itni badi ki uska anth hi nahi dikh raha tha...
pure gufa me tez roshni thi par us roshni ka koi shroth nazar nahi aa raha tha...

hum yahi sab dekh hi rahe the ki......



SWAGAT HAI MERE BHAI....EK MAHINA HI TOH HUA HAI HUM DONO KI AAKHRI MULAKAT KO PAR FIR BHI NAJAANE KYUN MERA MAN TUMSE JUDA HO VICHLIT HO GAYA THA....



PAR YE GALAT BAAT HAI....AAPNE BAS FATHER KE SAATH HI SAMAY BITAYA,MERE SAATH NAHI......



ek ke baad ek do awaazen us gufa me gunj uthi jisme se ek ASMODEUS ki thi aur dusri BEELZEBUB ki...

awaazein sun jahan ek taraf mere dost shocked hue wahin mere chehre par muskurahat naach uthi....

mere doston ke shocked hone ki wajah ye thi ki unhe awaaz toh sunayi de rahi thi par koi dikh nahi raha tha aur rahi meri baat,toh mujhe kisi ko dekhne ke liye aankhon ki zaroorat nahi padti....

par in dono ko saamne toh laana hi tha aur isiliye....



MAI-bina saamne aaye uchit swagat nahi hota ASMODEUS.....jab mehmaan saamne hain,toh mezbaan ko bhi saamne aana hota hai....

ASMDOEUS- ab mai apne chhote bhai ki khwahish bhi naa puri karun toh kya faiyda bade bhai hone ka....!!!????



jaise hi ASMODEUS ki awaaz aur baat puri hui,wo chamakdaar gufa kuch aur roshan ho gayi....

tez roshniyon ke beech ASMODEUS aur BEELZEBUB prakat hue par ye kya????

unke prakat hote hi mai toh shaant raha par mere doston ko ek aur shock laga...



reason...is waqt humare saamne ek ASMODEUS aur ek BEELZEBUB nahi balki 10 ASMODEUS aur 10 BEELZEBUB khade the....



ASMODEUS-jo tum dekh rahe ho,ye meri nahi BEELZEBUB ki zidh ka natija hai....

ye dekhna chahta hai ki tumhare baare me jo mai hamesha isse batata hun ki VIKRAM har paheli ka hal bata sakta hai,wo sahi hai ya nahi....

BEELZEBUB- haan LORD.....mai bhi toh dekhun ki jiski taarif mere FATHER karte nahi thakte wo asal me hain kitne paani me...



hum sabme se asli BEELZEBUB aur ASMODEUS kaun hai,bujo toh jaane....

aur haan,aapko hum dono me se asli BEELZEBUB aur asli ASMODEUS ko pehchaanane ka sirf ek ek mouka milega..

aur agar aap nakamiyab rahe toh ye PARALLEL WORLD apne aap gayab ho jaayega aur saath hi gaayab ho jaayenge hum dono..

aur aap hume dobara dhund bhi nahi paayenge....



ye jo baatein ho rahi thi,wo pure 10 BEELZEBUB aur 10 ASMODEUS ke mooh se ek saath nikal rahi thi....



MAI- pehli baat...chahe kitne hi PLANETS ke andar PLANETS bana ASMODEUS usme chhup jaaye,mai usse dhund hi lunga...

aur dusri baat...ASMODEUS ka toh samajh me aata hai par BEELZEBUB tune khud ko itna saamarthyawaan kab se samajhna shuru kar diya jo tune meri yogyata ko parakhne ki sochi....

bewakuf.....tujhe pehchanne ke liye mujhe kisi mouke ki zaroorat hi nahi....



ye bol maine bas ek chutki bajayi aur agle hi pal.....



AHHHH............




asli BEELZEBUB jo left corner me khada tha,wo ek jhatke me hawa me utha aur sidhe jaakar gufe ke pathrili diwar se takrate hue niche gira jiski wajah se uske mooh se aah nikal gayi..



par girne ke agle hi pal wo ek jhatke me khada ho gaya..BEELZEBUB khada toh ho gaya tha par uske aankhon me is waqt ghor vismay ke bhaav hai...

aur unhi vismay bhari aankhon se wo meri taraf dekh raha tha....



MAI-abbe bewakuf.tujhe kya laga ki SHIELD lagane se tu bach jaayega...tu ek kaali shakti ka dhaarak hai..aur jo WHITE ENERGY ke kan tere andar hai,mai unka waaris hun...

teri ek shakti ki badbu aur dusre ki mehek mujhse chhup nahi sakti....



meri baat khatm hone ke baad bhi BEELZEBUB chup hi raha..khair,ab baari thi uske pitaji ki....



ASMODEUS-ab zara hume bhi pehchaaniye...



MAI-ASMODEUS....tera sthar bhi dheere dheere neeche girne laga hai....nahi toh itni bachkani harkat tu kabhi na karta...

khair,ab kar hi diya hai toh yahi sahi....waise ek baat bata,tujhe ye toh pata hi hai naa ki mai kaun hun...??meri shakti ka shroth kya hai???aur mera asli ghar jo ki kabhi tera bhi ghar hua karta tha,wo kya hai???



meri baat par dason ASMODEUS ne bas haan me apni gardan hilayi....



MAI-chal,aaj tujhe bhi tere ghar ka ehsaas karwaate hain...



isse pehle ki wo dason ASMODEUS kuch samajhte,maine apne dono haath uparkiye aur mere aisa karte hi gufa ke andar un dason ASMODEUS ke upar ek chota sa aasman khul gaya aur agle hi pal.....

us maayavi aasman par HEAVEN ka gate dikhne laga jo ek jhatke me khul gaya aur aisa hote hi...

HEAVEN ki divinity se bhari roshni dason ASMODEUS par padi.....

aur jaise hi aisa hua,original ASMODEUS jiske andar ab bhi WHITE ENERGY thi,usse chhod baaki ke uske CLONES ek jhatke me raakh ho gaye.....

par tabhi..........



gufa ke ek hisse me kuch hua jisse maine note kiye par naa toh maine us aur dekha aur naahi chehre par koi expressions laaye..

wahin apne CLONES ko marte dekh....



ASMODEUS-adhbhudh mere bhai..adbhudh....par afsos ,kaash aisi chaturta tune pehle dikayi hoti toh shayad aaj tere maa baap.....



BOOM.....BOOM....BOOM.......



ek ke baad teen dhamake hue aur in dhamako ka shroth mere haath the....

ASMODEUS ki baat puri hone se pehle hi mere haathon se ek energy ray nikli aur sidhe jaakar ASMODEUS se takrayi..


aisa hote hi wo door jaakar gira aur isse pehle ki wo uthatha,maine uspar ek aur energy ray chhodi.....


jiske usse takraate hi wo ek bar firse zamin se hi upar uthata hua thoda aur door jaakar gira....

wahin apne pitah par yun aakraman hote dekh BEELZEBUB harkat me aaya aur usne mujhpar aakraman karne ki sochi par isse pehle ki wo kuch kar paata,mere haathon se ek aur energy ray nikli jo sidhe jaakar usse takrayi....

apne pitah ki tulna BEELZEBUB do guna doori par jaakar gira....

is dauran do cheezen aur hui..pehli wahi jisse maine abhi thodi der pehle mehsoos kiya tha aur dusri....

gufa me hazaron ki taadad me DEVILS invisible mode me khade the jo mere ASMODEUS par prahar karte hi visible ho gaye the....



RONIT-V.J...tu ASMODEUS ko sambhal...mai aur ANJALI BEELZEBUB se nipatthe hain...

MOKALSAR,SHAILA,AKSHAANT....tum teeno in DEVILS ki toli ko sambhalo....



ye bol jahan ek taraf RONIT aur ANJALI BEELZEBUB ki taraf lapke wahin dusri taraf VRIHAKH WAASI DEVILS ki toli par toot pade...

ek saath kayi saare energy rays ke saath wo teeno DEVILS ki sena par aakraman karne lage..

in sabko dekh maine jab saamne dekha toh...



ASMODEUS-dhyan atti awashayk hai mere bhai.....



BOOM..........



issi awaaz ke saath mai udta hua piche jaa gira......par girte hi mai khada ho chuka tha.....

ASMODEUS jisne mujhpar pehla succeesful waar kiya tha,wo mujhe muskurata hua dekh raha tha....mere khade hote hi...



ASMODEUS-shuru karen.....???

MAI- pehle aap....????



mere bolte hi.........



KARZAMTAANITE VAJRATI.......

MULTIPLY FORCE AND HIT......



ASMODEUS ke SPELL uccharit karte hi uske aas paas ek invisible force ne janm liya jiski shakti lagatar badhti hi jaa rahi thi...

aur jaise hi ASMODEUS ne apna haath meri taraf kiya,us invisible force ne raftar pakdi aur tezi se meri taraf badhi...

mujhe aisa lag raha tha maano koi pahad meri taraf badh raha ho.....

par mai apni jagah par khada hi raha aur jaise hi maine us invisible force ko apne paas mehsoos kiya.....

maine apne haath ko muthi ki shakal de ek punch saamne ki taraf maara aur



BOOM.........



ek tez dhamaka hua jisme ek saath do cheezen hui...



pehli....mere mutthi ke us invisible force se takrate hi wo force ek dhamake ke saath khatm ho gayi...

aur dusri..us impact ka asar mujhpar bhi hua..mai ek baar firse udta hua piche jaa gira par agle hi pal mai wapas khada ho chuka tha...

jahan mai aur ASMODEUS ek dusre ko ghur rahe the wahin....




DOHGAAJINAA....

SUFFOCATE.....



BEELZEBUB ne jaise hi ye SPELL uccharit kiya,toh uske agle hi pal ek invisible shakti ne RONIT aur ANJALI ke gale ko jakad sa liya aur lagatar us shakti ka pressure bahdhne laga...



MANTRA KHANDITA

SPELL BREAK



ANJALI aur RONIT dono ke mooh se jaise hi ye SPELL nikla,wo invible shakti jisne un dono ka gala dabaya tha,wo gayab ho gayi..



ye dekh BEELZEBUB shocked hua aur tabhi...




SHWETH SHAKTIYEM AAGHAATAM.....

WHITE ENERGY ATTACK




RAKHT SANCHARAM JAKDAM KAROTI....

BLOOD FLOW STOPPER.....




pehla SPELL ANJALI ne kaha tha aur dusra RONIT ne......

pehle SPELL ke prabhav se ANJALI ke haathon WHITE ENERGY ka ek bohot shaktishali ray nikla aur sidhe jaakar BEELZEBUB se takraya.....

is WHITE ENERGY me itni shakti thi ki BEELZEBUB udte hue door toh gira hi par uske baad bhi is energy ke prabhav ki wajah se uska body jhatke khaane laga...

aur BEELZEBUB ne jaise hi SPELL ko kaatne ke liye SPELL bolne ki sochi...

toh ussi pal RONIT ke bole SPELL ne apna kaam kar diya....

ek rsy RONIT ke haathon se nikal sidhe BEELZEBUB se takrayi aur aisa hote hi kuch palon ke liye BEELZEBUB ke ragion me behta khoon ek jagah jakad sa gaya.....

usse aisa laga maano uski saansen rook rahi hai..wo kuch bhi karne ke layak nahi bacha tha....



dheere dheere uski tadap aur badhne lagi...aur jab aisa lagne laga ki ab BEELZRBUB nahi bach paayega tabhi....



BOOM....ek dhamake ke saath ANJALI aur RONIT ka SPELL nishkriya ho gaya.....

aur aisa hote hi BEELZEBUB uth kar khada ho gaya......



BEELZEBUB-hahahahahaha...tumhe kya laga ki tum dono mujhe maar sakte ho.....murkho,asambhav hai ye.....



BEELZEBUB ki baat ka RONIT aur ANJALI ne kuch jawab nahi diya aur apne agle waar ke liye taiyar ho gaye...



wahin.....VRIHAKH WAASI buri tarah se saare DEVILS ki haalat bigadne me lage hue the...

teeno hi jal,agni aur bijli ka istemaal kar saare DEVILS ko pathkani diye jaa rahe the....

is waqt SHAILA hawa me uthi hui paani ko ek vikraal roop diye saare DEVILS par chhod rahi thi wahin AKSHAANT ussi paani me bijli daal sabhi DEVILS ko jhatka de raha tha...

aur in dono ke viprit MOKALSAR sabhi DEVILS ke upar AGNI varsha karne me laga hua tha....



wahin in dono tukdiyon se alag MAI aur ASMODEUS ek dusre ki shaktiyon ko aankne me lage hue the....

mai jaanta tha ki ASMODEUS ka agla waar ghaatak hoga par mai ready tha....




SHAKTIYEN VIBHAJIT KAROTI

POWER DISTRIBUTE



ASMODEUS ke SPELL bolte hi uski saari shaktiyon ne khudko usse alag kar mujhe chaaron taraf se gher liya...

kuch hi palon ki baat thi fir ASMODEUS ki ye shaktiyan mere upar ek saath attack karne waali thi aur isiliye....




SUPRAGUPTA SUNAANTHI

BOOK COVER




maine apne seene ke upar haath rakh is SPELL ko uccharit kiya aur mere aisa karte hi mere andar jo SUPRAGUPTA BOOK thi,uski energy ne mere saare body ko cover kar liya....

aur tabhi.....



ASMODEUS ki saari shaktyion ne mere upar ek saath humla kar diya aur jaise hi wo shaktiyan mujhse takrayi....



BOOM.....



ek tez dhamak hua..is baar ke dhamake ka impact bohot zyada tha jisse puri gufa hil gayi thi....

powers ko mujhse takrate dekh ASMODEUS ke chehre par muskaan naach gayi par ye muskaan kuch hi palon ke liye thi...

DHAMAKE ki wajah se jo dhuan hua tha,wo jab hata toh ASMODEUS ke chehre ki muskaan gayab ho gayi aur uski jagah hairani ne le li...

reason...mai apni jagah par hasta muskurata hua khada tha...mere SPELL ki wajah se meri supragupta kitab ki shakti ne mujhe chaaron taraf se ek SHIELD ki tarah gher liya tha jiski wajah se mujhpar ASMODEUS ke powers ke takraane ka koi asar nahi hua....

par uski shaktiyon ke impact ki wajah se mere supragupta book dwara banaye SHIELD me kamzori zaroor aa gayi thi aur isse pehle ki wo SHIELD khatm ho jaaye,mujhe kuch karna tha.....

aur isiliye......

apne dono haathon ko faila.....




SAMPOORN SHAKTIYEM UDGAMANA




COMPLETE POWER RISE




jahan ek taraf is mantra ko uccharit kar mai aage badhne laga wahin mujhe apni taraf aata dekh ASMODEUS ne ek ke bad ek kayi saare pranghaatak SPELLS mujhpar chhode par meri SUPRAGUPTA SHIELD ki wajah se mujhe kuch nahi ho raha tha..

par ASMODEUS ke fifth SPELL bolte hi uski jo energy mujhse takrayi usse mujhe toh kuch nahi hua par haan,meri SHIELD zaroor toot gayi par ab mujhe uski zaroorat bhi nahi thi aur



reason...mai ASMODEUS ke paas pahunch gaya tha....mujhe apne saamne dekh ASMODEUS ne gaayab hone ki koshish ki par....

isse pehle ki wo gayab hota,maine apne dono haathon ko jinme meri shakiyon ki ray naach rahi thi,usse ASMODEUS ki body se chua diya aur....



VINASH KAROTI.....

DESTROY



mere SPELL ne apna kaam kiya...SPELL ke uccharit hote hi ASMODEUS ke sharir ko ek ke baad ek kayi saare jhatke lage...

kuch der tak yunhi jhatke lagne ke baad uska sharir hawa me utha aur tezi se gol ghumta hua mujhse thodi door jaakar gir gaya.....

is beech do aur cheezen hui thi...



pehli ye ki jab ASMODEUS ki body ko jhatka lag raha tha,tab pure gufe ki roshni bhi kam zyada ho rahi thi..

aur dusri....jaise hi mere haathon ne ASMODEUS ko chua tha,tab ASMODEUS ke aas paas ek kaala dhuan sa ubhra aur fir gayab ho gaya.....

khair, mai chalta hua ASMODEUS ke paas pahucnha..ye mera pehla waar tha jisne ASMODEUS ko behosh kiya tha...

ASMODEUS ke chehre ko ek pal dekh meri nazar us taraf gayi jahan se ek adrishya cheez jiski invisiblity power ASMODEUS ke behosh hone se kam ho gayi thi aur jiski wajah se wo mujhe dikhne lagi thi.wo dheere dheere udte hue thik ASMDODEUS ke baaju me aakar rook gayi...

ye chiz aur kuch nahi wahi CUBE thi doston jiske andar se ASMODEUS ne kuch waqt pahle apne JEEVEN KAN nikale the....

aur yahi wo chiz thi jiski wajah se is gufa me roshni faili hui thi.....

ASMODEUS ke paas pahunch us cube ke andar se 7 kaali roshniyan nikli aur dekhte hi dekhte wo 7 roshniyan ASMODEUS ke behsosh body me sama gayi....

ye 7 roshniyan aur kuch nahi balki THE SEVEN OPOSTLES the jo ab ASMODEUS ke andar the......

aur jaise hi THE SEVEN OPOSTLES ASMODEUS ke andar samaye,ASMODEUS ki aankh khul gayi........





WAHIN DUSRI TARAF:-





VAJRAPAATAHEM

LIGHTING ATTACK



VISHANDATEM

POISION



TITAMYATI

CHOKE



SAMPURN VINASHAM

COMPLETE DESTRUCTION



ye chaar SPELLS aur iske saath saath aur kayi saare SPELLS RONIT aur ANJALI ne BEELZEBUB ke upar chhode par kisi bhi SPELL ka BEELZEBUB par koi khaas fark nahi pada...

waise toh SPELLS BEELZEBUB ne bhi in dono ke upar chhode the,par ye dono bhi uske har SPELL ko jaise taise dodge diye jaa rahe the..

par jahan mere dono doston ko bachna padh raha tha wahin BEELZEBUB par toh kisi bhi SPELL ka koi khaas fark hi nahi padh raha tha aur isiliye...



BEELZEBUB-maine toh pehle hi kaha tha ki murkho ki tum mera kuch nahi bigad sakte..tum hi kya,tumhare ghanisht mitr VIKRAM tak mera kuch nahi bigad sakte....



jab BEELZEBUB apni badhayi kar raha tha tab ANJALI aur RONIT ko apne aas paas DEFENDER aur unke saath kisi aur ki urja mehsoos hui jisse mehsoos kar dono ke hi chehre par muskurahat aa gayi....



RONIT- murkh tu hai BEELZEBUB..tujhe kya lagta hai ki hume pata nahi ki tu yun dinge kyun hanak raha hai....ye teri galti hai.hume sab pata hai....

BEELZEBUB-acha zara mai bhi toh sunu ki tumhe kya pata hai??

ANJALI- sunana kyun hai dekh le...



ANJALI ne apni baat khatm hi ki thi tabhi do roshniyon ke beech do aakrutiyan prakat hui aur jaise hi un aakrutiyon ne roop liya,BEELZEBUB ko ek zor ka jhatka liya....



un do logon me se ek toh DEFENDER hi the aur dusri thi............ALESENDRA...........



ji haan doston,wo ALESENDRA hi thi jiske andar BEELZEBUB ne apne jeeven kan chupaye the....

wo ALESENDRA hi thi jiske baare me VIKRAM ko dusri bhavishyavaani me bataya gaya tha...

wo ALESENDRA hi thi jiske baare me maine ghar par AV ko aur ISLA aur WARRIORS WORLD ke baahar DEFENDER aur mere doston ko bataya tha...



ALESENDRA....naa chahte hue bhi BEELZEBUB ki maa aur dono chaahe naa chahe par dono hi us rishte me bandhe hue hain jiske aage GOD bhi jhukte hain....MAA BETE kaa rishta..

aur issi rishte ne BEELZEBUB ko sahuliyat di ki wo apne jeeven kan ALESENDRA ke andar chhupaye....



ALESENDRA- tujhe laga ki tu jeet gaya BEELZEBUB,kyun???tu aur tere pitah bas baazi hi jeet sakte hain,jung hamare LORD hi jeetenge......

khair,tune zindagi me pehli baar ek nek kaam kiya hai..mere andar apne jeeven kan daal tune mujhe LORD ke kaam aane laayak bana diya....

aur jo bojh mere seene par teri maa hone ka tha,aaj wo bhi utar jaayega....

jahan ek taraf DEFENDER aur mere dost ye sab sunke sad the kyunki wo jaante the ki ab kya hone wala hai wahin BEELZEBUB ekdum sthir khada tha....



apni baat kehte kehte hi ALESENDRA ke haathon me ek bada sa chaaku chamak utha jisse usne apni baat khatm karte hi apne pet me utar liya......



AAHHH..........ALESENDRA...........



pehli dard bhari cheekh ALESENDRA ke mooh se nikli thi wahin dusri cheekh DEFENDER aur mere doston ke mooh se nikli...

apni cheekh ke saath hi ALESENDRA neeche jhukti chali gayi par isse pehle ki wo neeche girti,DEFENDER ne usse thaam liya....

is wat teeno ki hi aakhon me aansu the....



ALESENDRA-aap teeno roiye mat...ye gum ka nahi khushi manane ka waqt hai...meri mout paap ke is mahaadhyaya ka ant likhegi....isse badi baat aur kya ho sakti hai....???



apni baat keh ALESENDRA ki aankhen band ho gayin....

wahin DEFENDER kuch kehne hi waale the ki

tabhi kuch dekh wo chownke.....



DEFENDER- arre,ye ALESENDRA ke haath ko kya ho raha hai...????



DEFENDER ki bat sun jaise hi RONIT aur ANJALI ki nazar ALESENDRA ke haath par gayi toh wo dono bhi shocked ho gaye...



reason...ALESENDERA ke haath dhuan ban gayab ho rahe the..haath hi kya dekhte hi dekhte kuch hi palon me puri ALESENDRA dhuan ban gayab ho chuki thi...

DEFENDER,ANJALI aur RONIT ko kuch bhi samajh me nahi aaya aur jaise hi unki nazar BEELZEBUB par gayi toh unhone usse muskurate hue paaya...



BEELZEBUB-itna chownko mat..mere jeeven kano ne meri MAA ke sharir ko sokh liya hai...isiliye ye dhuan utha hai.....

aur ek baat..agar tum sabko lagta hai ki mere jeeven kan ke raaz ko jaan,meri maa ki kurbaani dene se tum mujhe maar paaoge toh ye tumhari galatfehmi hai....

mere andar WHITE aur BLACK ENERGY dono moujud hain....jabki tum sab sirf WHITE ENERGY ke dhaarak ho....

isiliye tum sab milkar bhi koshish karo tab bhi mujhe nahi maar sakte....



MERE BAARE ME KYA KHAYAL HAI....????MUJHSE TOH MAROGE NAA TUM.......!!!!!



abhi koi kuch kehta ki tabhi mere doston ke peeche se ye awaaz aayi jisse sun jab wo palte toh sabko ek jhatka laga...par sabse bada jhatka toh BEELZEBUB ko laga tha...

mere doston aur BEELZEBUB ke saamne khada shaksh wahi tha jiske paas mai GOD se baat karne ke baad gaya tha..

jisse maine kaha tha ki sahi waqt par mai usse bulaunga aur abhi hi wo sahi waqt tha..

kuch der tak ek tak saamne waale ko dekhne ke baad mere doston,DEFENDER aur BEELZEBUB ke mooh se ek saath saamne khade shaksh ka naam nikla.....



BHUVIKA.............



 
Member
278
52
28
FINAL CHAPTER





( DEVILS DEMOLITION )





FINAL UPDATE (PART-1)






FLASHBACK ( UPDATE 115 )






MAI-ANALIA aur uske andar mai,hum dono apne ghar se kuch door ekant me baithe hi the ki tabhi humare saamne ek tez roshni ubhri....

us roshni se nikalne waali kirano se humare sharir ko jo ki ek hi tha, bohot shanti mil rahi thi..

hum dono us shanti ko mehsoos kar hi rahe the ki tabhi wo roshni kam hone lagi aur jaise hi roshni puri khatm hui toh....



HUM-LORD AAP?????



humare saamne LORD OF ANGELS the....itne dino pashchat LORD ko apne saamne dekh hum dono hi bohot khush hue the....



aur waise bhi,jo LORD ne hum dono beheno aur hamare pure grah ke liye kiya tha,uski wajah se hum sabhi unse milne ko,unhe apne samaksh ek baar firse dekhne ko bohot aatur the.....

aur aaj,abhi yun achanak LORD ko apne saamne dekh humari khushi ka thikana nahi tha....

ANALIA ne aur fir uske andar se maine LORD ko hume dobara darshan dene ke liye dhanyawaad kaha....

kuch der tak yunhi baatein karne ke baad:-



VIKRAM-BHUVIKA,apni behen ke andar rehne se kaisa lag raha hai???

MAI- bohot acha lag raha hai LORD....



meri baat sun LORD ke chehre par ek muskaan aa gayi jisse mai hadbada si gayi...

waise toh mai apni behen ANALIA ke andar thi,mera khudka koi sharir nahi tha fir bhi mujhe aisa laga jaise meri is hadbadahat ko LORD ne mehsoos kar liya hai....

aur wo isiliye kyunki meri baat sun LORD ki muskurahat aur gehri ho gayi thi....



VIKRAM-kya sach me???

ANALIA- nahi LORD....ye jhut bol rahi hai...isse har waqt apne khud ke astitv ka ,apna khud ke sharir ke naa hone ka gum khalta hai...

MAI- tu bhi naa ANALIA,kuch bhi bolti hai..maine aisa kab kaha tujhse???

ANALIA-tu bhool rahi hai ki tu is waqt mujhme hi samayi hui hai...tere bhaavnaaye mere dil se judi hui hain..

teri khushi aur saare gum ke ehsaason ko mehsoos mera hi dil karta hai....

mujhe pata hai ki bhale hi tujhe is baat ki khushi hai ki tu mere saath hai,par saath hi tujhe is baat ka dukh bhi hai ki ab teri apni koi pehchaan nahi....



ANALIA ki baat sun mai kuch naa keh paayi....kehti bhi toh kya,thi wo sahi hi,aur upar se ye jaante hue bhi ki LORD se kuch nahi chhupta,maine LORD ke sawal par jhoot kaha tha...

is baat ki bhi mujhe sharmindagi thi.....par jaisa ki maine kaha ki LORD se kuch nahi chhupta,toh fir meri ye aatmglaani bhi kahan chhupni thi isiliye.....



VIKRAM-tumhe lajjit mehsoos karne ki zaroorat nahi hai BHUVIKA.....jo tum mehsoos kar rahi ho,wo mehsoos karna swabhavik hai...

aur karna bhi chahiye..bhale hi koi kisise kitna hi prem kyun naa kare,par uska khudka bhi ek wajood hona anivarya hai....

BHUVIKA-kintu ab ye anivaryata mujhpar lagu toh ho nahi sakti LORD!!!toh fir is baare me sochkar ya baatkar kar kya faayda....????

VIKRAM- kisne kaha ye tumse??arre haan,maine hi kaha tha..???par.....jhooth kaha tha...

MAI- jhooth....!!!arthaath!!!!

VIKRAM- arthaath ye........



LORD ne apni baat adhuri chhod apne haath aage kiye..unke aisa karte hi unke haathon se WHITE ENERGY ki ek moti si ray nikal ANALIA par padi aur usse hote hue jaise hi wo energy sharir ke andar pahunchi toh agle hi pal.....

mujhe aisa laga maano koi shakti mujhe andar se baahar ki taraf dhakel raha ho...us shakti ka zor itna zyada tha ki ANALIA ke sharir ke andar se ek aur WHITE ENERGY ki moti si ray uske sharir se baahar aane lagi..

puri tarah baahar aa wo energy ANALIA aur LORD ke beech aakar rook gayi...kuch palon tak ussi roop me rehne ke baad us WHITE ENERGY ne ek naya roop lena shuru kiya..

ek insaani roop..aur dekhte hi dekhte jab us WHITE ENERGY ne khudko ek insaani roop diya toh usse dekh ANALIA khushi se ucchal padi...



REASON....ANALIA ke saamne is waqt jo khadi thi wo aur koi nahi mai thi...aur wo bhi apne ussi purane aur sampoorn roop me jiske mit jaane ki wajah se mai apni behen me samayi thi...

ANALIA turant aage badhi aur usne mujhe gale se laga liya...jahan meri behen khush thi wahin mai khush bhi thi aur shocked bhi....

mujhe yakin hi nahi ho raha tha ki mujhe apna sharir wapas mil chuka tha...jaise hi ANALIA mujhse alag hui toh mai khudhi ko chu chu kar khudko yakin dila rahi thi ki sapna nahi balki haqiqat hai...

mai toh abhi aur naajane kitne hi waqt tak khudhi me khoyi rehti par tabhi....



ANALIA- dhanyawaad LORD.....meri behen mere paas zaroor thi par ab tak kahin na kahin mujhe uska khud ke sharir ko khone ka bohot afsoso tha...

mai usse baatein toh kar leti thi par usse chhu nahi paati thi...usse apne sukh dukh baant toh leti thi par usse gale laga nahi paati thi...

par aaj aapne meri behen ko uska sharir louta meri saari khawahishon ko pura kar diya....

jahan ek taraf ANALIA ki baat sun LORD bas muskura rahe the wahi mai jo apne aap me hi vyast thi,apni behen ki awaaz sun mera bhi dhyan LORD par gaya....



MAI- aapne jo aaj firse mujhpar kripa ki uske liye dhyanyawaad bohot chota shabd hoga LORD...???

VIKRAM-dhanyawaad kaisa??jo tumhara tha,tumhe wapas mil gaya...

BHUVIKA- kya mai kiuch puch sakti hun LORD????

MAI- yahi naa ki jab tum theek ho sakti thi toh fir maine jhut kyun kaha tha ki tumhe hamesha ke liye ANALIA ke andar hi rehna padega!!!!

MAI- jee LORD....

VIKRAM-wo jhut toh tha,par puri tarah se nahi.....



LORD ki baat par mere aur ANALIA ke chehre par sawal dikhne laga tha.....



VIKRAM-mere kehne la matlab hai ki maine sirf ye jhut kaha tha ki tumhe hamesha ke liye tumhari behen ke sharir me rehna padega par ye pura jhut isiliye nahi hai kyunki jab maine tumhare sharir se BLACK ENERGY nikali thi,us waqt tumhara ANALIA ke sharir me jaana aawashyak tha....

MAI- LORD,mai aapke kathan ka arth ab bhi nahi samajh paa rahi hun???

VIKRAM- jaanta hun par kuch hi shano me tumhe samajh me aane lagega,ya fir ye kahun ki tum khud apne sawal ka jawab dogi par usse pehle mere sawalon ka uttar do...

kaafi waqt tak tum BLACK ENERGY ki dhaarak rahi thi..us waqt tumne dhyan kendrit kar apni un kaali shaktiyon ko aur nikarne ki koshishe bhi ki thi...

toh mera sawal ye hai ki BLACK ENERGY ki sabse badi khasiyat kya hoti hai???

MAI-BLACK ENERGY ki sabse badi khaasiyat!!!!!arre haan,yahi ki agar kisine BLACK ENERGY ko apna liya hai,toh wo apne us dhaarak ki har khubi,har shakti jo uske paas pehle se hai,usse badha deti hai...

VIKRAM- bilkul sahi....aur tumne bhi toh yahi kiya tha naa???BLACK ENERGY ki dhaarak bani thi..

toh ab zara ye batao ki jab tumne BLACK ENERGY ko chuna tha,dhaarak bani thi tab us BLACK ENERGY ne kya kiya hoga???

MAI-jab mai BLACK ENERGY ki dhaarak bani tab usne kya kiya hoga?????arre haan,ye mai kaise bhul gayi......



jaise hi mere dimag me LORD ke ya fir ye kahun ki mere hi sawal ka jawab gunja,toh mai khushi se ucchal padi aur turant aage badh maine LORD ke pair chhune chaahe par LORD ne mujhe aisa karne se rok diya...



VIKRAM- maine kaha tha naa ki kuch hi der me tum khud hi khudke puche sawal ka jawab dogi...

BHUVIKA- jee LORD....aapki koi baat kaise khaali jaa sakti hai...mera aapko koti koti naman LORD.....



yahan mai LORD ko lagatar dhyanyawaad kahe jaa rahi thi aur wahan meri behen ANALIA ko ab bhi kuch samajh me nahi aaya tha aur isiliye....



ANALIA-mujhe toh kuch bhi samajh me nahi aaya..mujhe bhi toh samjhayiye....

MAI- LORD,kya mai???



mere sawal pure hone se pehle hi LORD ne haan me sir hola apni swikriti di....



MAI-BLACK ENERGY apne dhaarak ke har shakti har kaabiliyat ko aur badhati hai....bhale hi wo shakti uski dushman hi kyun naa ho??

aur BLACK ENERGY ki ek maatra aur sabse badi dushman kaun hai???

ANALIA-WHITE ENERGY....

MAI- haan..WHITE ENERGY....wahi energy jiske hum COURIOUS waasi LORD aur ANGELS ke baad sabse bade dhaarak hote hain..jo hamari shakti bhi hai aur hamari kaabiliyat bhi....

jiske paida hone ke paschat mere andar kami ho gayi thi....par fir bhi mere andar WHITE ENERGY bohot zyada maatra me thi aur jab mai BLACK ENERGY ki dhaarak bani toh usne meri baaki kamiyon ke saath saath mere andar WHITE ENERGY ki jo thodi si kami thi,usse bhi door kar diya....

ANALIA- par kaise???mera matlab hai ki us kami ko pura karne ke liye BLACK ENERGY ko tere andar WHITE NERGY paida karni thi..

par BLACK ENERGY ka WHITE ENERGY paida karna,ye kaise mumkin hai???



mai ANALIA ke sawal ka jawab deti usse pehle hi....



VIKRAM-ANALIA...tum COURIOUS waasi pure bramhaand me ekloute aise ho jinme khun nahi WHITE ENERGY daudti hai....

toh zaahir si baat hai ki tumne apne purwajo se WHITE ENERGY aur BLACK ENERGY ke baare me zaroor suna hoga!!!

ANALIA- jee LORD,suna hai....

VIKRAM-toh ye batao ki BLACK ENERGY ko janm kisne diya???

ANALIA-WHITE ENERGY ne....samast bramhaand me base manushya jaati ke hriday me,unke mstishk me jaise hi nakaratmak vichar ne janm liya,toh us ehsaas ne WHITE ENERGY ki taakat ke asar ko pura ulta kar diya...

aur issi bhaavna,vichar ke ferbadal se WHITE ENERGY ke bhitar se nikli BLACK ENERGY.....

VIKRAM-bilkul sahi...toh iska arth ye hai ki BLACK ENERGY ne khudko ek alag pehchaan di...

par uski pehchaan aaj bhi WHITE ENERGY ki den hai....aur agar wo chaahe toh khudko wapas apne janm daata me sammilit kar sakti hai jo wo karegi nahi....

par khudke faayde ke liye wo apna rang aur swabhav badal zaroor sakti hai...

BHUVIKA ke maamle me usne yahi kiya....kyunki BHUVIKA ne BLACK ENERGY ko apna liya tha,toh usne BHUVIKA ko aur shashakht banane ke liye apne kuch kano ki kubaani de uski WHITE ENERGY ki kami ko door kar diya....

par jab maine BHUVIKA ke andar se us BLACK ENERGY ko nikala tab uske wo kan jisse usne WHITE ENERGY me badla tha,wo bhi bekaabu hone lage...

wo wapas apne asli form yaani BLACK ENERGY me badalna chahte the par kyunki BHUVIKA ke andar sirf WHITE ENERGY hi bachi thi aur wo wapas ussi ki dhaarak ban chuki thi isiliye wo kan wapas BLACK ENERGY me nahi badal pa rahe the..

par unke bekaabu hone ki wajah se BHUVIKA ke sharir me WHITE ENERGY ki jo kami ki taklif thi,usne wapas janm liya....

aur isiliye hi maine BHUVIKA ko ek urja ka roop dekar tumhare andar bheja tha..tumhare sharir me behta WHITE ENRGY ka samandar BHUVIKA ke asthir hue urja ko shaant karne laga....

aur ab un kano ne khudko WHIETE ENERGY ke roop me swikar kar liya hai jiska matlab hai ki BHUVIKA ke sharir ki kami ab door ho chuki hai...

aur isiliye hi tumhari behen apne pairon par khadi hai....



LORD ki baat sun meri hi tarah ANALIA bhi LORD ke aage jhukne ko hui par unhone usse bhi aisa karne se rok diya...



VIKRAM-BHUVIKA,mujhe tumhari madad chahiye....

MAI- aisa kehkar aap mujhe sharminda naa karen LORD..aadesh den....

VIKRAM-BEELZEBUB ne khudke jeeven kano ko apni maa ALESENDRA ke andar chhupaya hai....

un jeevan kano ko nikalne ke liye ALESENDRA ko apni kurbaani deni hogi...

kintu uske baad bhi BEELZEBUB ko maarna aasan nahi hoga...kyunki wo BLACK ENERGY ke saath saath WHITE ENERGY ka bhi dhaarak hai...

mai chaahun toh usse maar sakta hun par agar maine aisa kiya toh uske andar jo dono shaktiyan hain,wo fat jaayengi jisse aadhe bramhaand ka naash ho jaayega....

BEELZEBUB ka anth sirf tum hi kar sakti ho BHUVIKA....aur kyun,ye tum achi tarah se jaanti ho....

par dhyan rahe,tumhe bas ek hi mouka milega..isiliye apni WHITE ENERGY par kaabu paao aur unhe samjho....

MAI- jee LORD....BEELZEBUB ka anth mai hi karungi....

chalen???
(ye aap padh chuke hain)



VIKRAM-pehle jo kaha hai wo toh karo..aur waise bhi,wo jis jagah par hai,wo jagah abhi chuppi hui hai..ek baar mai usse dhund lun,fir tumhe bulaunga...

tab tak jo kaha hai,uspar apna dhyan kendrit karo....






BACK TO PRESENT:-





BHUVIKA- yahi hai mere wapas loutne ki,aur is paapi ke anth ke shuruat ki kahani...



BHUVIKA ko dekh jo ANJALI,RONIT,DEFENDER hairan hue the,ab unke chehron par sirf khushi ke hi bhaav dikh rahe the...

wahin in sabse alag BEELZEBUB ke chehre par ab toh koi expression hi nahi tha..

wo yunhi ek tak BHUVIKA ko dekhe jaa raha tha....

DEFENDER aur mere doston ko apne yahan hone ki wajah bata BHUVIKA BEELZEBUB ki taraf palti....



BHUVIKA-MAA.....jisse PARMESHWAR se bhi bada darja diya gaya hai,usse apni is manhoos jeeven ki dhaal banakar tune apna ghatiyapan saabit kar diya hai BEELZEBUB.....

BEELZEBUB-baatein...bas yahi beasar hathiyar hi toh bacha hai tere paas....

apne sharir ko wapas paane ki khushi me tu ye tak bhul gayi hai ki ab tere paas koi aloukik shakti nahi bachi hai...

BLACK ENERGY ka tyag kar tune apni saari maayavi shaktiyan kho di hai...aise me tu mujhe BEELZEBUB ke saamne khade ho usse maarne ki baat kar rahi hai....

maregi toh ab tu aur wo bhi mere haathon....



apni baat kehne ke baad BEELZEBUB ke haathon me ek black ray dikhne lagi jisse RONIT,ANJALI aur DEFENDER ne bhi dekh liya tha..

aur dekhte hi teeno BHUVIKA ko bachane aage badhe hi the ki......



BHUVIKA- aap sab apni jagah par hi rukiye aur mujhpar vishwas kijiye..mujhpar nahi toh kamsekam LORD par toh VISHWAS kar hi sakte hain aap sab...

itna toh jaante hi honge naa aap sab ki LORD ka koi bhi faisla akaaran nahi hota...agar unhone mujhe yahan bulakar iske saamne khada kiya hai toh ye mere hi haathon marega....



BHUVIKA ki baat me dum tha isiliye RONIT,ANJALI aur DEFENDER ne kuch naa kar bas tamasha dekhne ki sochi...



BHUVIKA-aur BEELZEBUB.....der kis baat ki...jo kaali urja se bana gola tere haath me hai,kar waar mujhpar isse...

uske baad tujhe pata chalega ki kaun kitna bhula hai....



BHUVIKA ki baat sun BEELZEBUB ne ek baar usse ghura aur agle hi pal...



ARRE YE KYA?????MERA CHHODA ASTRA KAHAN GAYAB HO GAYA????



BEELZEBUB jisne BHUVIKA ki baat ya fir ye kahun ki uske challenge ko sunte hi uspar apne haathon me chamak rahe kaali urja ki gendh ko feka tha,wo urja gendh BHUVIKA tak pahunchne se pehle ki gayab ho chuki thi jisse dekh BEELZEBUB ke saath saath mere dost aur DEFENDER bhi chownke the....



BHUVIKA-itna chownk kyun raha hai BEELZEBUB...maine kaha tha ki tere haath ki urja gendh fekne ke baad tujhe pata chalega ki aakhir asal baat bhula kaun hai????

bhul gaya ki is waqt tere andar ek aur urja hai....SHWETH URJA...WHITE ENERGY....aur wo urja teri nahi balki meri hai.....

aur jab tak meri urja tere andar hai tab tak tu mera kuch nahi bigad sakta....tera har waar mujhtak pahunchne se pehle hi khatm ho jaayega....



BHUVIKA ki baat sun BEELZEBUB chownka..usse bhi apni bhool ka ehsaas hua aur usse is baat ka bhi andaza ho gaya ki wo BHUVIKA ko nahi maar sakta...



BEELZEBUB-toh kya hua jo mai tujhe nahi maar sakta..tu kaun sa mere raaste ko roda hai????

tu khadi reh yahin par dekh kaise mai tere aankhon ke saamne tere in ghanisht mitron ko mout deta hun....

BHUVIKA-arre rook rook rook...itni jaldi bhi kya hai??mere mitron se ladhne se pehle mujhse ek aakhri sougat toh leta jaa....



BHUVIKA ki baat sun BEELZEBUB ke maathe par sawal ki silvaten dikhne lagi....



BHUVIKA- nahi samjha naa..samjhati hun..dekh,ye toh tune sahi kaha tha ki mere paas ab koi aloukik shaktiyan hai nahi jisse mai kisika bhi saamna kar paaun...

par tere paas toh bohot shaktiyan hai naa...aur teri shaktiyon ko zyada badhane me sabse bada haath meri urja ka hai jo is waqt tere andar hai..

toh isiliye tu ek kaam kar,apni shaktiyon ko aur badhane ke liye tu meri saari urja apne me sama le...

isse tu aur shaktishaali ho jaayega...fir in teeno ko kya,tu sabhi ANGELS par bhaari padega.....

BEELZEBUB-paagal hai kya???teri urja mere andar jaate hi meri urja khatm ho jaayegi....

ek min...kahin tu????




SAMYUKTAM SARDHAM SWA AUJASYA

JOIN WITH MY ENERGY




isse pehle ki BEELZEBUB apni baat puri karta,BHUVIKA ne apne haath aage kar is SPELL ko bola jo ki asal me koi SPELL tha hi nahi...

ye toh bas apni urja ko apni dusri urja jo is waqt kisi aur ke paas thi,(BEELZEBUB) usse milane ka tarika tha.....



(yahi wo SPELL wo tarika tha jiske baare me VIKRAM ne BHUVIKA ko COURIOUS me bola tha)



khair,jaise hi BHUVIKA ne ye SPELL bola,uske sharir ko ek tez jhatka laga ur agle hi pal....

ek jhatke me BHUVIKA ke sharir se uski saari WHITE ENERGY baahar nikli aur isse pehle ki BEELZEBUB kuch react kar paata,

wo saari urja apni bachi urja se milne jo ki BEELZEBUB ke andar sama gayi aur....



AHHHHHH.....AHHHHHHH.......AHHHHHH......



ek ke baad ek kayi saari cheekhen BEELZEBUB ke mooh se nikalne lagi....

is waqt BEELZEBUB ka pura sharir kabhi kaala toh kabhi pura safed hota jaa raha tha......

kuch der tak ye sab yunhi chalta raha aur fir.......



achanak BEELZEBUB ka aadha left side ka chehra aur ussi side ki puri body safed aur dusre side ka chehra aur us taraf ki body kaali ho gayi...

aur saath hi BEELZEBUB ka cheekhna bhi band ho gaya tha..

ek tak bina palken jhapkaayen usne ek baar BHUVIKA ko aur ek baar DEFENDER,ANJALI aur RONIT ki taraf dekhne laga...

uske yun dekhte waqt uska ek taraf ke colour ko dusre taraf ka colour sokhne laga tha aur jaise hi uska chehra aur sharir ek rang ke hue.....

BEELZEBUB ke mooh se kuch shabd nikle aur.......



BOOMMMMMM.................



BEELZEBUB,HEIR OF BLACK ENERGY ka chapter khatm ho chuka tha.....



ek dusre ko shakl dekhne ke baad jab mere doston ki nazar MOKALSAR,AKSHAANT aur SHAILA ki taraf gayi toh sabne apne dimag ko jhatka aur....



DEFENDER-BHUVIKA,tum yahin rooko..hum in DEVILS ki sena ko khtam karke aate hain...



ye bol DEFENDER ne BHUVIKA ke chaaron taraf ek SHIELD bana diya aur aisa hone ke agle hi pal wo teeno VRIHAKH VAASIYON ki taraf badh gaye.......






BACK TO HERO:-






FINAL WAR CONTINOUS






JISKE LIYE TUNE CHUKAI
HAR KEEMAT HAI

WO MANZIL AB TERE
BEHAD NIKAT HAI



APNI SAARI SHAKTI KO TOL,
JHAANK APNE BHITAR

YUDH KA STHAR AUR BADHEGA,
DE HAR WAAR KA UTTAR



TERE PARAKRAM KE SAATH JAB
TERA DIMAG SAJAG HOGA

TABHI PUNYA SE PAAP ALAG HOGA



PAR..........



ASLI YUDH ME MUSHKIL HAI
TERA JEET KA SWAAD CHAKHNA

APNE PRATHAM GURU KO AUR,
USKE PEHLE UPHAAR KO YAAD RAKHNA



EK AAKHRI BAAR MAI
TUJHE TERA RAASTA DIKHAUNGI

IS KHEL KE ANTIM CHARAN ME
EK BAAR FIRSE TERE SAAMNE AAUNGI...



mere waar se jab ASMODEUS behosh hua,aur jab cube se 7 kaali rays nikal jo ki THE SEVEN OPOSTLES the,ASMODEUS me samaaye,thik tabhi mere andar chuppe aakhri BHAVISHYAWAANI ne khud ko khola...

par apni ek aakhri kadi usne abhi bhi chhupayi hui thi,aur jisse wo mere is yudh ke antim charan me mere saamne laane waali thi....

khair,abhi ke liye mujhe saari cheezen clear thi...mujhe pata tha ki aage mujhe kya aur kaise karna hai...

par mai ye bhi jaanta tha ki ki yudh sirf ek ki buddhi se toh chalta nahi...saaamne khada pratidwandi jaisa waar karta hai,uska jawab
ussi ki tarah hi dena hota hai aur nayi yuktiyan ussi hisaab se hi banani padti hain...

yahan mai apni sochon me goom tha,aur wahan mere saamne behosh pade ASMODEUS ke andar wo 7 rays sama chuki thi aur aisa hote hi ASMODEUS ki aankhen khul gayi...

aur aankhen khulte hi wo ek jhatke me khada ho chuka tha....



MAI- toh janab apne aakhri daav ke liye ekke chupaye hue the aur wo bhi ek do ya teen nahi balki pure 7,haan!!!!!




par meri baat ka ASMODOEUS ne koi jawab nahi diya...kuch pal tak lagatar mujhe ghurte rehne ke baad usne apne dono haath failaye aur......



PARIVARDHANA SARDHAM SHAKTIYEM

MULTIPLY WITH POWER






ASMODEUS ke SPELL uchharit karte hi uske andar se ek ek karke usske kul 7 roop baahar aaye.....

ye saath roop asal me THE SEVEN OPOSTLES hi the jinhone abhi ASMODEUS ka roop dhara hua tha....

ab mere saamne kul 8 ASMODEUS the..7 OPOSTLES aur ek original ASMODEUS...

aur iska matlab tha ki BHAVISHWAANI me jo yudh ke sthar ke badhne ki baat kahi gayi wo yahi thi..

mujhe ek saath in aathon ASMODEUS se ladhna tha.....

mai jaanta tha ki iske alawa aur koi chaara bhi nahi hai isiliye mai puri tarah se taiyar tha....

wahin mere saamne khade 8 ASMODEUS ne apna ek ek haath meri taarf kiya aur.....




AAGHAT SARDHAM SAMPURN SHAKTIYEM

ATTACK WITH COMPLETE POWER




jaise hi un aathon ASMODEUS ke mooh se ye baat nikli,unke haathon se tez kaali shaktiyon ki ray nikal meri taraf badhi....



VIDHARATI SHAKTIYEM

HOLD POWER




maine bhi apna ek haath aage kar is mantra ko uchharit kiya...mere aisa karte hi mere haath ke aage ek WHITE ENERGY ki parat si ban gayi...

aur jaise hi aathon ASMODEUS ke haathon se nikli rsy mere haath ke paas pahunchi toh wo rook gayi....

BLACK ENERGY ki ray rook zaroor gayi thi,par unka force aur power bohot zyada tha..mere haath ke aage ki WHITE ENERGY se bani parat us FORCE ko thik se sambhal nahi paa rahi thi...

ek saath moti gaadhi rays ki bouchar mere hathon me ek saath padh rahi thi jisse rokne ki koshish mai kiye jaa raha tha....

aur iska asar mere saare sharir par bhi ho raha tha..is waqt mere jabde ek dusre ko jakde hue se the..maine apne pure sharir ka bhaar is waqt apne us haath me laga diya tha jisse mai un aathon ASMODEUS ki rays ko rok raha tha...

mere pairon ke dabaav ki wajah se gufa ki pathrili zamin jispar mai khada tha,unme daraar aane lagi thi....

par itni shakti kharch karne ke baawajud har pal mai thoda thoda piche khisakte jaa raha tha....

mere saamne khade mere 8 pratidwandiyon ki shakti mujhse zyada thi....

kuch der tak yunhi chalta raha...apni puri shakti lagane ke baawjud jab mai saamne se aa rahi kaali shaktiyon se kamzor padne laga toh....



AHHHHHHH..................



mere haathon ke aage jo meri WHITE ENERGY ki parat thi,wo toot gayi aur aisa hote hi wo aathon rays direct mere haathon me padi aur natija....

ek tez cheekh ke saath mai kayi foot piche hawa me utda hua jaa gira....

itna hi nahi,thodi der pehle jo ASMODEUS ke saath hua tha,ab wo mere saath hua....itni zyada shakti ek saath lagne aur usse naa jhel paane ke kaaran mai behosh ho chuka tha...

par mere girne ke baad aur behosh hone ke baad bhi un aathon ASMODEUS ne apne apne rays ka nikalna band nahi kiya..

infact,mai peeth ke bal besosh hua pada tha....aur is waqt wo aathon kaali rays mere peeth par lagatar padh rahi thi jiski wajah se meri body halki halki kaamo rahi thi....

waise toh mere paas meri apni SHIELD thi par kyunki mera saamne meri hi tarah GODS SON se tha,isiliye wo kuch nahi kar sakti thi...

khair,mera sharir toh behosh ho chuka tha par meri aatma ek sukoon taran safar me ek safed si chaadar odhe ek sjeeb jagah par ud rahi thi...

jis jagah par meri aatma thi,wo koi azaad aur khuli jagah nahi thi par iske baawajud itni badi thi jisse kisi bandhan ka ehsaas bhi nahi ho raha tha..

mai yunhi idhar udhar dekhta aage badh hi raha tha ki,



KAHAN CHAL DIYE BARKHURDAAR.....



ye awaaz mere kaano par padi jisse sun mujhe ek jhatka laga par is jhatke me ek sukoon sa tha...

ye awaaz mere piche se hi aayi thi isiliye jaise hi mai piche palta toh mujhe dobara jhatka laga aur dobara hi ek naye sukoon ko feel kiya maine...



reason....mere saamne mere MOM DAD the jo garv bhari muskurahat se mujhe dekh rahe the....



MAI- MOM...DAD....aap dono!!!!!

DAD- haan,hum toh hum hi hain par tune humare sawal ka jawab nahi diya...kahan jaa raha hai is waqt tu???

MAI- pata nahi dad...par ab jab aap dono mil gaye ho toh ab mai yahi rahunga,aap dono ke saath....

MOM-par beta abhi tera kaam pura nahi hua hai..wo kaam jiske liye tu apne maa baap tak ki kurbaani dene se piche nshi hata,kya tu us kaam ko pura nahi karega...???

MAI- bohot thak gaya hun mom.....

DAD-thaka hai par haara nahi....aur itna toh mai apne bete ko jaanta hi hun ki wo haar bhi nahi sakta...

MOM- bilkul.....itne saare competitions jeete hain tune...toh fir aaj jab tere saamne teri zindagi ke main maksad ka competition hai,toh kaise haar sakta hai tu???

DAD-exactly..uth,aur dikha sabko ki tu JAIRAJ SINGH ka beta hai...

MOM- correction...uth aur dikha sabko ki hum dono VIKRAM JAIRAJ SINGH ke MAA BAAP hain....



MOM DAD ki baat sun mai muskura diya aur agle hi pal meri aatma ki aakhen band ho gayi aur tabhi.......



wahan meri aatma ki aankhen band hui,aur yahan meri aankhen khul chuki thi..sirf aankhen hi nahi khuli,balki mai ek jhatke me khada bhi ho chuka tha...

wo BLACK RAYS ab bhi mere sharir par padh rahi thi...ab bhi mujhe kaafi taklif ho rahi thi par is baar mai un saari tajklifon aur dard ko jhelta hua apni jagah par khada hua tha..

wahin mujhe yun achanak khada hota dekh pehle toh mere saamne khade aathon ASMODEUS shocked hue,par fir jaldi se khud ko sambhal apne dogune shakti se mujhpar un rays ko chhodne lage...

wo saare rays mere seene ke upar padh rahe the....

ek baar fire apne ek haath me WHITE ENERGY ki parat ko jaga maine apne seene ke aage haath rakhte hue un kaali rays ke prahar ko apne hatheli par liya...

par ek baar firse wahi hone laga...un kaali shaktiyon se nirmit rays ki aseemit shakti ki wajah se mere haathon par jo WHITE ENERGY ki ray thi,wo dheere dheere kam hone lagi...

aur ab mujhe jo bhi karna tha,wo jaldi hi karna tha..kyunki us BLACK ENERGY se mai khatm ho paaun ya fir naa ho paaun,par jo power un rays se nikal rahi thi,agar unhone meri body ke saath saath aaju baaju bhi apna asar dikhana shuru kiya toh mere dost nahi bach paate aur isiliye.....

BHAVISHWAANI me kahi gayi us baat ko pura karne ka waqt aa gaya tha jisme usne kaha tha ki....



APNI SAARI SHAKTI KO TOL,
JHAANK APNE BHITAR
...



aur isiliye maine apni aakhen band ki aur agle hi pal mai apne pure sharir me daud rahe WHITE ENERGY se jud gaya....

aur aisa hote hi mujhe apni saari urja apne haathon aur pairon ke naso me feel hone lage....hazar surya jitni urja mere dono baazuon me bharne lagi thi....

dekhte hi dekhte mera saara sharir halka halka glow karne laga tha jiska matlab tha ki WHITE ENERGY jo mere andar behti hai,wo ab mere pure sharir ke angon me jaan bharne lagi thi.....

aur aisa hote hi meri aankhen khul gayi...mere andar beh rahe WHITE ENERGy ke baahar aane se mere us haath ko bhi sahara mila jispar wo BLACK ENERGY ki rays padh rahi thi...

ab mere haathon par jo BLACK ENERGY ki ray padh rahi thi,uska mujhpar koi khaas fark nahi padh raha tha par mera maksad defense nahi attack tha aur isiliye.....



VIKARSATI

DESTROY





BACK TO FRNZ:-






YAAR EK BAAT SAMAJH ME NAHI AA RAHI HAI.....HUM ITNE DER ME NAJAANE KITNE HI DEVILS KO MAAR CHUKE HAIN PAR INHE DEKH KAR LAGTA HAI MAANO YE ABHI BHI UTNE HI HAIN JITNE PEHLE THE.....

AISA LAG RAHA HAI JAISE YE WAPAS ZINDA HO JAA RAHE HAIN.....



MOKALSAR,AKSHAANT aur SHAILA toh lagatar DEVILS ko maar hi rahe the,par BEELZEBUB ke khaatme ke baad RONIT,ANJALI aur DEFENDER bhi unki madad ke liye pahunch gaye....

par lagatar hazaron DEVILS ko maarne ke baad bhi jab RONIT ko ehsaas hua ki DEVILS ki sankhya me koi kami nahi aayi hai tab usne apni baat baaki sab ke saamne rakhi...



ANJALI- haan yaar..ye baat toh maine bhi notice ki hai...hum najaane kitne hi hazar DEVILS ko ab tak maar chuke hain par ye saale toh ab bhi utne ke utne hi dikh rahe hain...

MOKALSAR- par hum kar bhi kya sakte hain???hume toh apna kaam karte rehna hi hai naa...

DEFENDER- kaam ko kaam tabhi kaha jaata hai jab uska koi matlab nikle,koi fal mile..

par hum jo itne der se kar rahe hain,uska toh koi nateeja hi nahi nikal raha hai....

SHAILA-toh hum karen kya???

AKSHAANT-mere paas ek upaay hai...kyun naa hum milkar apni apni shaktiyon se ek aisa bandhan banaye jsime ye saare DEVILS bandh jaayen....

WHITE ENERGY ke bandhan ke prabhav ki wajah se ye DEVILS koi shakti prayog bhi nahi kar paayenge,tab hum ek saath apni apni sampoorn vinash ke SPELLS in sab par ek saath chhod denge jisse inka samooh naash ho jaayega...

tab hume ye bhi pata chal jaayega ki jo hum soch rahe hain wo sach hai ya nahi..ye DEVILS marne ke baad bhi kahin zinda toh nahi ho jaa rahe hain???

RONIT- waah bhai AKSHAANT..sahi socha hai tune...chalo fir,aisa hi karte hain....



AKSHAANT ki yukti par sehmati dikha jaise hi sab apne agle SPELL ko bolne ko hue....



AISA TUM NAHI KAR SAKTE....DEVILS KO MAARNE KI ZAROORAT NAHI HAI,BAS UN SABKO APNE APNE SHAKTIYON SE BANE BANDHAN SE BAANDH DO.....



ye meri awaaz thi jisse sun sabhi ek jhatke me rook gaye...kisiko bhi samajh me nahi aaya ki maine DEVILS ko maarne ke liye mana kyun kiya tha..

wo sab mujhse is baare me puchna chahte the par isse pehle ki wo kuch puchte....



MAI-SAB SAMAJH ME AA JAAYEGA..WAISE BHI AB HUM IS KHEL KE ANTIM CHARAN PAR PAHUCHNE WAALE HAIN...ISILIYE JAISA KAHA GAYA HAI WAISE KARO,AUR MERE PAAS AA JAAO.....



ek baar firse un sab ke man me meri awaaz gunji jisse sunane ke baad unke paas kuch kehne ko nahi bacha tha....aur isiliye.....




SHAKTI BANDHANAM



POWER CONFINEMENT




DEFENDER aur mere FRNZ ne ek saath is SPELL ko uccharit kiya aur aisa karne ke agle hi pal....

un sabke sharir se WHITE ENERGY se bani moti rays nikli..ye rays invisible thi jisse sirf iska use karne waala hi dekh sakta tha,DEVILS nahi....

wo saari rays ek saath milkar ek rope ki shakl le dono taraf se saare DEVILS ko gherne lage....

aur jaise hi un rays ke dono sire ghumte hue ek dusre se mile,wo visible ho gaye aur DEVILS ko bhi dikhne lage....

par ab DEVILS kuch bhi nahi kar sakte the...wo fas chuke the..WHITE ENERGY se bane is bandhan ke andar se naa toh wo khud nikal sakte the aur naahi koi SPELL keh sakte the..

unke saare SPELLS WHITE ENERGY ke us bandhan se takrakar nishkriya ho jaate....

apna kaam khatm kar DEFENDER aur mere dost BHUVIKA ke paas pahunche..BHUVIKA ke saath hi is waqt meri AV khadi thi....

dono ko le sabhi mere paas pahunch gaye aur jahan ka nazara dekh sabhi ko jhatka laga..



REASON....unke saamne ek taraf mai khada tha aur dusri taraf 8 ASMODEUS jinke haathon se ek saath BLACK ENERGY se bani ek ray nikal rahi thi jisse maine apna haath aage kar roka hua tha...

is nazare ko dekh mujhe taklif me samajh RONIT aage badhne ko hua par.....



DEFENDER- rooko..is jung me hum LORD ki madad nahi kar sakte..ye unki ladhayai hai..unhe hi ladhna hoga aur waise bhi tumne dhyan se nahi dekha..

dekho,bhale hi LORD akele hain,par is waqt wo BLACK ENERGY se bane ray ko asaani se rok rahe hain...

itna hi nahi,dheere dheere unke haathon se nikalte WHITE ENERGY ka ray un 8 BLACK ENERGY ke samagam se nikle rays ko wapas dhakel raha hai...

dhyan se dekho,is waqt LORD ka pura sharir WHITE ENERGY ke prabhav se halka halka chamak raha hai jiska arth hai ki unhone apni andruni shakti baahar laaya hai...

aise me humme se kisi ka bhi unke urja khshetra me jaana thik nahi hoga....



DEFENDER ki baat sun RONIT ke saath saath sabhi ka dhyan DEFENDER ki kahi baaton par gaya aur unhe pata chala ki sab waisa hi hai jaisa DEEFENDER ne kaha hai..

par jo drsihya un sabke saamne tha,wo avismaraniya tha..do do mahashakti ka aisa takraav unhone kabhi bhi nahi dekha tha...

ek dusre ka haath thaame dhadakte dil se sabhi is mahasangram ko ek tak dekhne lage....





BACK TO HERO:-





BAS BAHUT HUA......IS AAKHRI MAAYA KO ALVIDA KEHNE KA WAQT AA GAYA HAI MERE BHAI.....



mere sharir ke andar ki saari urja ke baahar aane ki wajah se BLACK ENERGY ki ray ka mere haath ke upar asar khatm ho gaya tha..

par jaisa ki maine kaha tha ki mera maksad defense nahi balki attack tha isiliye....

maine apni sharir ki saari urja ko apne haathon ke zariye baahar nikalna shuru kiya..

mere aisa karne se mere andar ki WHITE ENERGY ne bhi ASMODEUS ki BLACK ENERGY ki hi tarah ek ray ki shakal li aur jaise hi us ray ke baahav ne hathon ko chua...

aisa hote hi mere haathon ke aage ki BLACK ENERGY ki ray ko ek jhatka laga aur agle hi pal wo wapas peeche hone lagi..

situation ke yun achanak badalne se kuch der pehle jaise mere jabde aapas me bheenche hue se the,paaon neeche pathrili zamin par dhas se gaye the,waisa hi kuch ab mere saamne khade aathon ASMODEUS ke saath hone laga...

wo sab bhi ab apni puri shakti laga mere ray ko aage badhne se rok rahe the par wo is prayas me kaamiyab bilkul bhi nahi ho paa rahe the....

meri ray dheere dheere unki KAALI SHAKTIYON ki ray par bhaari padti hui usse piche ki taraf dhakelti jaa rahi thi aur kuch hi der me unki ray jo ek point par aakar ek ho rahi thi,us point par pahunch gayi...

aur tabhi maine kaha ki is aakhri maaya ko khatm karne ka waqt aa gaya hai.....



apni baat keh maine apni urja ke baahav ko aur tez kar diya...

mere aisa karte hi BLACK ENERGY ki starting point jahan se wo saare rays ek hokar nikal rahe the,wahan hulchul si hone lagi aur agle hi pal.....



ek halke jhatke ke saath wo saari rays alag ho gayi.....rays ke alag hote hi wo saari rays wapas 8 hisso me bat gayi jinki shuruat un aathon ASMODEUS se thi...

BLACK RAYS ke 8 hisse me baththe hi meri ray bhi 8 hisso me bat gayi aur meri ray ka har hissa un rays ke har hisse ko piche dhakelne laga....

apni ray ko apni taraf aata dekh aathon ASMODEUS ne apne dusre haath ki shakti se aur KAALI URJA paida ki taaki unke rays ko aur taakat mile par unke aisa karte hi maine bhi apne dusre haath se WHITE URJA paida karna shuru kar diya taaki meri rays bhi aur shaktishaali ho jaayen...

aur hua bhi aisa hi,unki koi bhi yukti kaam nahi aayi aur dekhte hi dekhte mere aathon rays ne unke aathon rays ko dhakelte hue unke haath me wapas bhej diya aur tabhi....



AHHHHH......AHHHH......AHHHH.....AHHHHH......AHHHHH.....AHHHHH...AHHHH....AHHHHH....



ek saath aath karahen nikli jo ki mere saamne khade aathon ASMODEUS ki thi aur

reason.....unki shakti ko dhakel jaise hi meri urja ne unhe chua,toh un sabke sharir ko ek jhatka laga jis wajah se unke mooh se kaarah foot padi..

par mai nahi rooka..infact meaine apni urja ke bahaav ko aur zyada kar diya aur natija....

meri aankhen chamak uthi...



reason...asli ASMODEUS ko chhod baaki ke uske saathon roop jo ki THE SEVEN OPOSTLES the,wo wapas apne asli maalik matlab asli ASMDOEUS ki taraf kheenchane lage....

kuch pal lage,aur fir........

AAHHHHHHHHHHH..................



ek dardnaak cheekh pure gufa me gunj uthi.....ye cheekh ASMDOEUS ke mooh se nikli thi...

reason....THE SEVEN OPOSTLES uske andar wapas sama chuke the par uske cheekhne ka reason ye tha ki apne saath saath THE SEVEN OPOSTLES meri urja ko ya fir ye kahun ki LORD OF ANGELS ki urja ko bhi ASMODEUS ke andar le gaye jiski wajah ASMDOEUS cheekh utha...

wahin hum dono se kuch door khade mere dost,DEFENDER aur meri AV ke chehre par khushi ke bhaav the par jahan mere dost aur DEFENDER is baat se khush the kyunki unhe lag raha tha ki aakhirkaar maine ASMODEUS ko hara diya tha wahin meri AV isiliye khush thi kyunki ek wahi thi jisse sach pata tha..

aur wo ye bhi jaanti thi ki asli ladhayi toh ab shuru hone waali hai aur yahi ladhayi meri niyati ko pura karegi.....

khair.jaise hi ASMODEUS cheekha,maine man hi man ek SPELL bola jiske uccharit hote hi ASMODEUS girkar behosh ho gaya..

aur jaise hi ASMODEUS behosh hua.....




MAI- mere paas aao....



maine man hi man ye baat DEFENDER aur apne sabhi doston se kahi jisse sun DEFENDER aur mere dost mere paas aa gaye....



RONIT- waah mere sher..aakhir tune kar dikhaya...

MAI- picture abhi baaki hai mere dost...

SAB- matlab???

MAI- sab pata chal jaayega..pehle wo karo jiske liye tum sabko yahan bulaya hai....

wahan dekho...



ye bol maine apni ek ungli ek direction me point ki...



RONIT- abbe....wo kya cheez hai???
daraslal jis taraf maine point kiya tha,wahan par wahi CUBE tha jiske andar se THE SEVEN OPOSTLES nikle the aur jisse ab tak sirf mai dekh raha tha..

par mere uski taraf point karte hi mere haathon se ek invisible ray nikli aur sidhe jaakar us CUBE se takrayi aur agle hi pal wo CUBE sabke liye visible ho chuka tha...



MAI-wo wahi CUBE hai jiske andar se ASMODEUS jaise dikhne waale 7 APOSTLES nikle the...

par wo sab chhodo aur wo samjho jo tumhe ab karna hai...

jaise hi ASMODEUS ko hosh aayega,toh tum sab apni apni puri urja se us CUBE par waar karna.....



meri baat sun mere dost mujhse kuch puchna chaah rahe the par...



MAI- maine kaha naa ki sab pata chal jaayega..bas abhi jitna kaha hai utna karo....taiyar ho....

SAB- haan.....



sabke haami bharte hi....






UTSNYATI

EMERGE



mere SPELL bolte hi........



AAHHHHHHHHHHHHHHH...................



SAMPURNA SHAKTIYEN DAAVYANATI

COMPLETE POWER RELEASE



darasal meri urja ko grahan karne ki wajah se jab ASMODEUS cheekha tha tab maine



SABHONATI

LOW DOWN....



is SPELL ko uchharit kar apni urja ko jo ASMODEUS ke andar thi,usse shaant kar diya tha...

jiske baad ASMODEUS behosh ho gaya tha aur ab jo maine SPELL bola tha,uske uchharit karte hi meri urja jo ASMODEUS ke andar thi,wo wapas jaagrit ho chuki thi,jiski wajah se uske sharir ko ek jhatka laga aur wo hosh me aa gaya...

hosh me aate hi mere URJA ke prabhav se usse wapas asahaniya peeda hone lagi jiski wajah se wo firse cheekh utha...

wahin ASMODEUS ke hosh me aate hi mere doston aur DEFENDER ne ek saath apna SPELL bola jiske uccharit hote hi un sabke haathon se unki shakti ray nikal side CUBE par padi aur aisa hote hi ek saath do do chizen huin.....



PEHLI.....



pure CUBE me kampan hone lagi aur dheere dheere wo khulne lagi thi....



DUSRI-meri urja ke khudke bhitar jaagrit hone se ASMDOEUS ke chehre ka rang aur yayan tak ki uske sharir ko dhakne waale uske kaale libas ka rang bhi rook rook kar badalne laga tha..


wahin apne haathon ki urja CUBE ko dete dete jab DEFENDER aur mere doston ki nazar ASMODEUS par gayi toh wo bhi shocked ho gaye....

jaise jaise waqt beet raha tha aur CUBE par mere doston aur DEFENDER ki urja lagatar padh rahi thi,waise waise ASMODEUS kicheekh aur uske rang me badlav ki prakriya bhi badhti jaa rahi thi.....

aur fir wo ghadi bhi aa gayi jiska mujhe intazar tha...jaisa ki kuch der pehle bhi hua tha,mujhe ASMODEUS ke sharir se lag kar usse zara peeche ek kaala dhuan nazar aane laga.....



jiska matlab tha ki BHAVISHWAANI ke us kathan ko pura karne ka waqt aa gaya hai..

wahi kathan jisme BHAVISHYAWAANI ne kaha tha ki....




TERE PARAKRAM KE SAATH JAB
TERA DIMAG SAJAG HOGA

TABHI PUNYA SE PAAP ALAG HOGA

PAR..........



ASLI YUDH ME MUSHKIL HAI
TERA JEET KA SWAAD CHAKHNA

APNE PRATHAM GURU KO AUR,
USKE PEHLE UPHAAR KO YAAD RAKHNA


BHAVISHVAANI ki ye baat yaad aate hi mai samajh chuka tha ki....


THE FINAL COUNTDOWN HAS BEGUN

 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM AUR ASMODEUS KE BEECH KA KHEL USKE FINAL COUNTDOWN TAK PAHUNCH CHUKA HAI
AB AAGE:-



LAST CHAPTER


(DEVILS DEMOLITION)



FINAL UPDATE


FINAL SCENES



START OF THE END:-




TERE PARAKRAM KE SAATH JAB
TERA DIMAG SAJAG HOGA

TABHI PUNYA SE PAAP ALAG HOGA

PAR..........



ASLI YUDH ME MUSHKIL HAI
TERA JEET KA SWAAD CHAKHNA

APNE PRATHAM GURU KO AUR,
USKE PEHLE UPHAAR KO YAAD RAKHNA





mera parakram toh sabhi ke saamne tha aur us kaale dhuen ko dekh maine apne dimag ki sajagta bhi saabit kar di thi...

aur ab baari thi BHAWISHYAWAANI ke diye us ishare ko samajhne ki jisse maadhyam se PAAP PUNYA se alag hone waala tha..

aur wo ishara mai bohot pehle hi samajh chuka tha...maine apna pura dhyan ASMODEUS par kendrit kiya....

ASMODEUS ki aankhen bhi is waqt dard ki adhikta ke baawjud mujhpar hi tiki hui thi...

ek rahasyamayi muskurahat ke saath jiska bhedh sirf ASMODEUS hi jaanta tha maine apne seene par haath rakha...

mere aisa karte hi mere andar chuppi SUPRAGUPTA book se ek roshni nikli jisne dheere dheere mere pure sharir ko gher liya tha....

waise toh mai apne WHITE ENERGY ke prabhav ki wajah se pehle se hi halka halka chamak raha tha par ab apni ENCHANTMENT book ki urja jo ki asal me GODS TEAR thi,uski wajah se mai kisi sitare ki tarah chamakne laga tha....

ye sab drishya mere dost,DEFENDER,BHUVIKA sabhi aakhen faade dekh rahe the...

aur yahan tak ki jisse sab kuch pata tha,meri AV,uski bhi aankhen badi ho chuki thi....

par in sab cheezon ko nazarandaz kar apne lakshya par dhyan laga mai dhadakte dil se aage badhne laga....

jaise jaise mai aage badh raha tha,ASMODEUS ki cheekh aur badh rahi thi...

itna hi nahi,wo thoda thoda adrishya bhi hone laga tha...

thoda thoda isiliye kyunki aisa lag raha tha maano ASMDOEUS gaayab toh hona chah raha hai par ho nahi paa raha...

khair,in sab udhedbuno ke beech mai ASMODEUS ke pass pahunch gaya....

ASMODEUS ke theek saamne pahunch....


MAI-WAQT AA GAYA MERE BHAI......


ye bol mai turant aage badha aur jo kuch samay pehle MONSLICKEL me hua tha,wo abhi fir hua....

nahi samjhe,yaad hoga aapko ki BHUVIKA ko lekar jab mai MONSLICKEL se loutne waala tha usse pehle ASMODEUS aur mai gale lage the...

abhi bhi wahi ho raha tha....maine aage badh ASMODEUS ko gale se laga liya.....aur fir.....





PAAPIYEM MOKSAYTI

DEVIL DETACH



BOOM.............................................................

NAHI..............................................................AAAAHHHHHHHHHHHH..................................




pehli awaaz jo ki ek dhamaka tha,uske baare me jaante hain..ye dhamaka CUBE se hua tha...

jis waqt maine SPELL bola,ye wahi pal tha jab CUBE ek jhatke me khul gaya tha....

aur uske yun achanak khulte hi uske andar ki chuupi WHITE ENERGY bhi ek jhatke me baahar aayi jiski wajah se ye dhamaka hua tha...

is dhamake ke impact se mere dost aur DEFENDER udte hue piche meri AV aur BHUVIKA ke paas jaa gire...

par kyunki unhe dhakka WHITE ENERGY ki wajah se laga tha isiliye kisi ko bhi koi nuksaan nahi pahuncha tha...

girte hi wo sab khade ho chuke the aur khade hote hi unke kaano me dusri aur teesri awaaz gunji...

dusri awaaz jisme "NAHI" kaha gaya tha,ye awaaz ASMODEUS ke mooh se nikalne ke baawajud uski nahi thi....

par is awaaz ko sun sabhi ek baar firse shocked ho gaye the.....

reason.....is awaaz ke gunjte hi ASMODEUS ke sharir ko ek jhatka laga par ye jhatka piche ki taraf nahi balki aage ki taraf laga tha..

par kyunki maine ASMODEUS ko zor se gale lagaya hua tha,isiliye us jhatke ka asar hum dono par hua aur hum dono meri back ke taraf udte hue gire the....

par mere doston aur DEFENDER ki chownkne ki wajah ka asli kaaran kcuh aur tha....

aur wo ye tha ki mere SPELL bolte hi "NAHI" shabd ke saath ek KAALA DHUAN ASMODEUS ke sharir ke peeche ki taraf se baahar nikla tha aur uske yun ek jhatke me nikalne ki wajah se hi ASMDOEUS ko bhi jhatka laga tha.....

wo KAALA DHUAN bhi humari hi tarah kuch piche ki taraf chala gaya tha par jaise hi wo ruka toh uske agle hi pal usne wapas aage aane ki koshish ki par naakamiyab raha...

reason......

us KAALE DHUEN ke saath saath meri URJA bhi ASMODEUS ke andar se baahar aayi thi aur jo is waqt us KAALE DHUEN ke paas hi thi...

aur jaise hi us KAALE DHUEN ne aage badhne ki koshish ki toh meri URJA ne ek pinjre ka roop le liya jisne us KAALE DHUEN ko chaaron taraf se gher liya tha...

aisa hone par wo KAALE DHUAN lagatar koshish karne laga taaki wo meri urja ke banaye pinjre ko tod azaad ho sake par wo kaamiyab nahi ho paa raha tha...

wahin us KAALE DHUEN aur meri URJA ke sharir se nikalne ki wajah se hi ASMODEUS ke mooh se wo teesri awaaz matlab cheekh nikli thi...

jaisa ki maine bataya ki mai aur ASMODEUS ek saath mere piche ki taraf udte hue gire the..

jahan mujhe kuch bhi nahi hua tha wahin ASMDOEUS ek baar firse behosh ho chuka tha aur isiliye......



VIGAVESANA

REGAIN CONCIOUSNESS



mai turant ASMODEUS ko side me leta uske baaju me baith gaya aur uske sir par haath rakh is SPELL ko uchharit kiya aur agle hi pal...

mere haathon se WHITE RAY nikli aur ASMODEUS ke sir me sama gayi aur aisa hote hi ASMODEUS ki aankhen khul gayi....

ab tak mere dost,DEFENDER aur meri AV mere paas wapas aa gayi thi...

DEFENDER aur mere doston ko toh kuch bhi samajh me hi nahi aa raha tha aur jaise hi unhone apne sawal ko mere saamne rakhni ki sochi,unhe ek aur jhatka laga..

aisa jhatka jo aaj se pehle unhe kabhi nahi laga tha..aur ye jhatka unhe meri AV ne diya tha....

kaise??aayiye khud jaan lijiye...

jaise hi mere doston ne mujhse in saari ghatnao ke baare me puchne ki sochi tabhi....


AV-BHAI KI WAAPSI MUKABARAK HO V.J....AAKHIR TUMNE APNE BHAI KO BACHA HI LIYA....


AV ki issi baat ko sun sabko jhatka laga tha isiliye....


RONIT-BHAI KI WAAPSI...BACHA LIY???SAALA HO KYA RAHA HAI???KYA BOLE JAA RAHI HAI AVNI...

ASMODEUS hamara dushman hai jisse maarne ke liye hi V.J ka janm hua hai....


MAI- NAHI...MERA JANM ASMODEUS KO MAARNE KE LIYE NAHI,BALKI USSE BACHANE KE LIYE HUA HAI.....

DHAMAKA...............


dhamaka hua meri baaton ko sunkar DEFENDER aur mere doston ke zehen me....aur aisa hona laazmi bhi tha.....


ANJALI- kya bakwaas kar raha hai???dimag thikane par toh hai..tera janm ASMODEUS ko bachane ke liye hua hai...par kisse???

RONIT-arre bhaad me jaaye kisse???abbe tu usse bacha raha hai jisne tere mom dad ko maara hai....

MAI- kisne kaha....????udhar dekho........

maine us taraf ishara karte hue apni baat kahi jis taraf CUBE tha...CUBE se hue dhamake ke baad kisi ki bhi nazar us taraf nahi gayi thi...

aur waise bhi dhamake ke asar se nikle WHITE ENERGY ki wajah se wo jagah pure WHITE DHUEN se ghiri hui thi aur wo dhuan ab bhi wahin tha....


RONIT- abbe wahan kya hai jo dikha raha hai?? maine tujhse jo pucha...........

OH SHIT.........................


isse aage RONIT kuch keh nahi paaya....wo kya koi bhi kuch kehne ki haalat me nahi tha...

reason...WHITE DHUAN chhat chuka tha aur uske chattathe hi kuch aakrutiyan dikhne lagi thi jisse dekh sabhi shocked hue the....

ye aakrutiyan aur koi nahi balki mere MOM DAD,ALESENDRA aur unke saath 4 log aur the......

aur is waqt un sabke chehre par muskaan thi aur ussi muskaan ko liye wo sab hamari taraf aane lage.....

wahin mere doston aur DEFENDER ki toh shock ki wajah se halat hi kharab ho gayi thi.....

wo fati aankhon se is namumkin drishya ko dekh rahe the....

ab tak mom dad hamare paas aa chuke the aur saath hi ALESENDRA aur unke saath ke chaaron log bhi...

ALESENDRA aur wo teeno mere paas aakar jhukne ko hue par maine unhe aisa karne se rok diya.....

wahin DAD ne RONIT ke sir par ek tapli maari jisse RONIT hadbadate hue hosh me aaya aur hosh me aate hi RONIT meri MOM ke aur ANJALI mere DAD ke gale lag gayi....

aur gale lagte hi unhe samajh me aa gaya ki ye koi sapna nahi hai aur haqiqat ko mehsoos karte hi dono ko itni khushi hui ki unki aankhon ne is khushi me barsaat kar di...

dono hi mere mom dad ko zor se pakad ro rahe the.....


DAD-bas kar gudiya..tujhe pata hai naa ki mai tujhe rote hue nahi dekh sakta.....

MOM-RONIT,kya ladkiyon ki tarah ro raha hai...dekh agar tune rona band nahi kiya naa toh mai tujhe apne haathon se bana kuch nahi khilaungi....

mom ki baat sun RONIT ke saath saath ANJALI bhi has di...

kuch der tak maahol yunhi senti raha aur fir...


ANJALI- kaash hum teeno ke baaki ke family members bhi yahan hote toh aunty uncle ko zinda dekh kitna khush hote....

MAI- piche dekh....


mere aisa bolte hi sabki nazar piche gayi aur aisa hote hi wo sab firse shocked ho gaye...

reason..hamare piche kul do WORLD DOOR khule hue the jinme se ek me hamare saare gharwaale khade the jinhe mere ANGELS yahan lekar aaye the.....

mere mom dad ko zinda dekh un sab ko bhi zor ka jhatka laga aur sabhi bhaagte hue aaye aur mere mom dad ke gale lag gaye..

wahin dusre WORLD DOOR se KING SOLOMON unki PATNI aur unke saath LORD CRUSEDAR yahan pahunche the...

KING SOLOMON aur unki patni ye jaante the ki ALESENDRA ko apni kurbaani deni thi aur isiliye wo bhi behad dukhi the par jaise hi un dono ne ALESENDRA ko zinda dekha toh unki khushi ka thikana naa raha..

aur yahi khusihi is waqt LORD CRUSEDAR ke aankhon aur chehre par bhi dikh rahi thi...

reason.....jo chaar log mere mom dad aur ALESENDRA ke saath us CUBE se baahar nikle the,wo aur koi nahi balki LORD CRUSDAR ke mom dad,patni ur ek louta beta tha...

aapko yaad hoga ki ASMODEUS ne WARRIORS WORLD par kabza karte waqt LORD CRUSEDAR ki family ko maar diya tha..

darasal usne unhe maara nahi tha,balki unhe bhi CUBE me chhupa diya tha....

par ab wo sab azaad the aur LORD CRUSEDAR ke saamne the.....

khair,sabhi log apne khoye huon se milne me vyast ho chuke the..aur issi beech....


ASMODEUS- tune kar dikhaya bhai....aaj najaane kitni sadiyon ke baad mai azaad hua hun......

MAI- abhi aap puri tarah aazad nahi hue hain BHAI..

ASMDOEUS- jaanta hun..par jab itni doori tay ki hai toh bachi hui doori bhi paar ho jaayegi....


ASMDOEUS ne apni baat keh mujhe gale se laga liya..wahin apni apni baaton ko puri kar sabhi ki nazar hamare upar aakar theher gayi thi...


MOM DAD,ALESENDRA,aur LORD CRUSEDAR ki family jo CUBE me thi,sirf unhe is saari asliyat ke baare me maalum tha isiliye wo shaant hi the..

par baakiyon ki jigyasa toh shaant karni hi thi....


RONIT- bhai,ab batayega ki ye sab kya chakkar hai???ASMDOEUS aur tu ek saath hain,uncle aunty ALESENDRA sab zinda hain...

wahan teri shakti se ek pinjra bana hua hai jiske andar ek KAALA DHUAN fasa pada hai...

tu kehta hai ki tera janm ASMODEUS ko maarne ke liye nahi balki usse bachane ke liye hua tha...

aakhir ye sab chakkar hai kya????clear kar de bhai..dimag phata jaa raha hai aur sun bhai,ek hi flow me bata diyo...zyada der ka suspense jhel nahi aapunga mai....


RONIT ki baat sun sabhi has diye....


MAI- zyada waqt hai bhi nahi hamare paas....

SAB- matlab???

MAI- pata chal jaayega,par filhaal ke liye saara sach jaan lijiye...BHAI,ye kahani aapse shuru hui thi,toh mere khayal se aapko hi sunani chahiye....


ASMODEUS- zaroor....ye kahani tabhi shuru ho gayi thi jab GOD matlab mere pitah ne mujhe HEAVEN se nikala tha....

HEAVEN se nikale jaane ke baad mera man bohot vichlit ho gaya tha...mere saath saath mere 7 saathiyon ne bhi HEAVEN chhod diya tha jinhe aap sab THE SEVEN OPOSTLES ke naam se jaante hain....

mai bohot ghusse me tha...aur ghussa aksar nakaratmakta ko janm deta hai aur nakaratmakta BLACK ENERGY ko....



BLACK ENERGY......jiska janm MANUSHYA JAATI ke man me paida hone waale lobh aur nakaratmakta se hua tha....

jiska GOD ki hi ki tarah koi roop nahi hai par jo bohot zyada shaktishaali thi par fir bhi aniyantrit thi,uska khudka koi astitv hi nahi tha....

usse koi aisa chahiye the jiske madhyam se wo apni urja ko ek disha de sake....

aur jaise hi mere dimag me nakaratmakta ne janm liya,BLACK ENERGY ko iske baare me pata chal gaya aur wo mere saamne prakat hui....

usne mujhe apne aap ko uske hawale karne ke liye uksaaya..usne kaha ki agar mai aisa karta hun,toh wo meri shakti ko lagatar badhane me meri madad karegi...

mujhe aisi ucchaiyon tak pahunchayegi jahan se mai pure BRAMHAAND ka raja ban jaaunga...

mera dimag BLACK ENERGY ke is offer se bohot prabhavit hua par mera dil mujhse uski baat naa maanane ko keh raha tha...

mera dil hi nahi balki mere saathon saathi bhi mujhe aisa karne se rok rahe the par aakhir me mera dimag jeet gaya...

maine BLACK ENERGY ki baat maanli aur mere aisa karte hi BLACK ENERGY mujhme sama gayi.....

par mai nahi jaanta tha ki jis BLACK ENERGY ko mai apna gulam banane ki soch raha tha,usne mujhe hi apna gulam bana liya tha..

par ek nayi urja ko mehsoos karne ki wajah se mai itna khush tha ki maine is taraf dhyan hi nahi diya....

mere saathon saathi mere faisle se dukhi the par wo bhi chup hi rahe..khair,mere andar samate hi BLACK ENERGY ne mere dimag me kuch binduen daali jo kisi GRAH ki thi.....

un binduon ke maadhyam se mai us grah par pahunch gaya..ye grah aur koi nahi balki WARRIORS WORLD tha...

wahan pahunchte hi mujhe pata chal gaya ki yahan aseemit shaktiyon ka koi shroth hai....

aur fir ODRIDGE MOUNTAIN me mujhe wo shroth mil gaya..ek chattan numa patthar ke aadhe hisse me BLACK aur dusre aadhe hisse me WHITE ENERGY ka baahav tha...(FIRST CHAPTER)

maine pehle BLACK ENERGY ko apne andar lene ki sochi aur badi aasani se usse grahan bhi kar liya....

par jaise hi maine BLACK ENERGY ke baaju me behti WHITE ENERGY ko chua,toh mujhe ek jhatka laga jiski wajah se mai udta hua us gufa se baahar jaa gira aur girte hi behosh ho gaya...

us WHITE ENERGY ka asar sirf mujhpar hi nahi hua tha,balki mere usse chhute hi kuch der ke liye mere andar moujud BLACK ENERGY bhi mujhse alag ho gayi thi...

aur us behoshi me mere aankhon ke saamne meri galtiyan dikhne lagi....

mujhe saari asliyat pata chali..mujhe pata chal gaya ki MANUSHYA JAATI ka mera patan waala faisla sahi nahi tha...

mujhe ye bhi pata chala ki manushyon ko roop dene se pehle GOD be mujhe roop diya tha..iska matlab tha ki unhone mere niraman se khush hokar manushya jaati banayi thi..

aur jab mai ek PARMESHWAR PUTRA hokar BLACK ENERGY ke behkaawe me aa sakta hun toh fir manushyon ka galat raaste me jaana koi badi baat nahi....

mujhe ye bhi pata chal gaya tha ki jis urja ko chhukar mai behosh hua tha wo mere PITAH ki hi urja thi jo unke dukh ki wajah se baahar nilki thi aur wo dukh,wo gum maine hi unhe diya tha...

ye sab jaankar mai khudko bohot chhota mehsoos karne laga tha....

saari haqiqat jaanane ke baad meri aankhen khul gayi....

par ab mai kuch bhi nahi kar sakta tha..BLACK ENERGY ne mujhe buri tarah apni jaal me fasa liya tha..jis KAALI URJA ko lene mai yahan aaya tha,aur jo ab mere andar doud rahi thi,usse mere andar moujud BLACK ENERGY ne meri aatma ko bandi bana liya tha....

ab mai khud kuch bhi nahi kar sakta tha....mai hosh me zaroor aa gaya tha par abhi bhi mere sharir me WHITE ENERGY ko chune ki wajah se halki halki kampan ho rahi thi aur issi wajah se BLACK ENERGY abhi bhi mujhse door khadi thi...

mai apni bhool ke baare me soch hi raha tha ki tabhi mere andar GOD ki awaaz gunji..

unhone mujhe bataya ki jo galti ho chuki hai uske baare me soch kar koi faayda nahi aur jise chakravyuh me mai fasa hun,usme se mai khudko khudse nahi nikal paaunga par chinta karne ki zaroorat nahi hai..

kyunki sahi waqt par PRITHVI me mere BHAI ka janm hoga aur wahi mujhe is SHRAAP se mukt karayega par uske aane tak mujhe uske liye raasta banana hoga....

Ye sab keh GOD ki awaaz band ho gayi par jo baatein maine suni,wo mere bechain man ko shaant kar firse mujhe apni buddhi istemaal me laane ke liye kaafi thi...


kehte hain ki kabhi kabhi sab kuch sahi karne ke liye pehle sab kuch galat karna padta hai.....

maine wahi kiya...us waqt tak BLACK ENERGY mujhse door thi par mai jaanta tha ki kisi bhi waqt wo mujhme sama jaayegi aur uske baad mai kuch nahi kar paaunga aur isiliye....

sabse pehle maine apne saathon saathiyon ko yaad kiya aur saari sachayi batayi...

maine unhe bataya ki unhe ek aisa yantra taiyar karna hoga jo pura WHITE ENERGY se bana ho par uski upari parat BLACK ENERGY ki ho jisse ki mere andar moujud BLACK ENERGY ko shak naa ho...

ye maine isiliye kiya taaki jab bhi mujhe mere andar moujud BLACK ENERGY ko dikhane ke liye kisi bekasoor ko maarna pade toh mai kewal uske sharir ko raakh me badalne ki.maaya dikha usse gayab kar dun aur fir usse us yantra me daal dun...

pure BRAMHAAND me sirf wo yantra hi aisa hoga jahan wo BLACK ENERGY usse mehsoos nahi kar paayegi....

aur issi soch se bana ye CUBE....gufa se nikal maine BLACK ENERGY ko yakin dilane ke liye ki ab mai puri tarah se DEVIL ban gaya hun,LORD CRUSEDAR ke pariwaar ko maarne ka dhong kiya...

unhe raakh ki maaya me badal maine unke sharir ko WHITE ENERGY se lapet is CUBE me pahuncha diya....

par ab mujhe wo karna tha jiska aadesh mujhe GOD se mila tha..apne BHAI ke janm se pehle mujhe uske liye raasta banana tha aur isiliye....

maine wahi siddhant apnaya jiski us waqt zaroorat thi....

sab kuch theek karne ke liye maine sab kuch bigadna shuru kiya....

aur iski shuruat hui COURIOUS se...COURIOUS hi ek aisa grah tha jahan BLACK ENERGY ke kan moujud nahi the isiliye mere andar moujud BLACK ENERGY chahti thi ki mai COURIOUS ko hi khatm kar dun...

par maine usse sujhav diya ki kyun naa COURIOUS waasiyon ko tadpaaya jaaye...unhe ye ehsaas karaya jaaye ki BLACK ENERGY ko naa chun kar unhone kitni badi bhool ki hai....

BLACK ENERGY ko mera ye khayal pasand aaya....aur fir maine COURIOUS par us shraap ka chakravyuh racha..

aisa karte waqt mujhe bohot taklif hui thi par agar mai aisa nahi karta toh COURIOUS waasiyon ko marna padta aur aisa hone par WHITE ENERGY ki haar hoti..

GOD ki haar hoti...isiliye naa chahte hue bhi mujhe wo karna pada..par fir mujhe us shraap ko thik karne ki yukti bhi sochni thi....

Iske baare me sochte samay mere dimag me ek aisi yukti ne janm liya jisse mai ek saath bohot se kaam kar sakta tha...

maine BHUVIKA aur ANALIA jo ki us waqt garbh me thi,unhe alag kar diya...aur maine BHUVIKA ko ek aisi aurat ke garbh me daala jiski ek putri BLACK ENERGY ki gulaam thi....

BLACK ENERGY ko laga ki mai aisa kar WHITE ENERGY ke saath khilwaad kar raha hun par asal me mai BLACK ENERGY ke saath khel raha tha....

Par aisa nahi tha..mere is kaam ne BHAVISHYA mw ghatne waali bohot si chizon ko janm de diya tha..

Saath hi mai apne BHAI ke liye saari kadiyan jod raha tha taaki wo aur mai bina BLACK ENERGY ke shak ke daayre me aaye usse hara saken...


is beech meri mulakat ALESENDRA se hui..mai usse chahne laga par mere andar moujud BLACK ENERGY iske khilaaf thi...

par BLACK ENERGY ye bhi jaanti thi ki ALESENDRA ISLA ki rajkumari hai jahan FOUNTAIN OF LIGHT behti hai aur isiliye usne mujhe ALESENDRA se vivah karne se nahi roka...

par vivah ke baad pehle sambhog ke samay BLACK ENERGY ne ALESENDRA ke andar khudke kano ko bhi chhod diya jiski wajah se hamara putra jisse ek ANGEL hona tha,wo ek DEVIL bankar paida hua....

aage chalkar mere har niji kaam me bhi BLACK ENERGY apni taang adayegi,ye mujhe pata tha aur par maine aisa hone diya kyunki mai is ka tod BHUVIKA ki shakl me pehle hi bana chuka tha....

BHUVIKA aur mere putr ki shaadi hogi aur issi wajah se mere bete ke andar jo BLACK ENERGy ka bahaav hai,uske hote hue uske bhitar WHITE ENERGY pahunchegi,yahi meri yojna thi.....

par ye yojna adhuri thi...mujhe BEELZEBUB ke andar se puri BLACK ENERGY baahar nikalni thi par iski yukti meri samajh me nahi aayi thi..

khair,is chiz ko waqt par chhod mai apne maksad me aage badhta gaya....

jab mai ISLA me FOUNTAIN OF LIGHT ke kareeb pahuncha toh uske urja ke prabhaav se BLACK ENERGY ek baar firse mujhse door ho gayi...

aur issika faayda uthathe hue maine hi mere BHAI ke liye BHAVISHYAWAANIYAN us FOUNTAIN ke andar chhodi...

aisa kar mera ek bohot bada kaam pura hua tha..aur ye raaz raaz hi rahe isiliye hi FOUNTAIN gayab ho gayi thi....

khair,ISLA par apna kaam khatm karne ke baad mujhe ek vichar aaya..

aur wo vichar ye tha ki maine apne BHAI ke liye aage ka raasta toh bana diya hai par us raaste tak pahunchne ke liye bhi ek maarg ki zaroorat hai...

mera BHAI prithvi par paida hone waala tha jiska arth tha ki wo khud bhi BLACK ENERGY ke maahoul me ghire rehne waala tha...

toh aise me usse sach ka pata chal paana naamumkin tha aur isiliye mujhe pehle usse saara sach pata chal sake,iske baare me batana tha par sawal tha kaise????

aur iska hal bhi mujhe mil gaya aur wo hal tha SPEAR.........

wo SPEAR jo mere BLACK ENERGY ke dhaarak hone ki wajah se kabhi meri nahi ho sakti thi par BLACK ENERGY ko is satya ke baare me nahi pata tha...

aur jab maine usse SPEAR ko hathiyane ki baat kahi toh wo jhat se maan gaya..

aur fir jab HOLY SPIRITS se ladh kar mai SPEAR tak pahuncha toh maine BLACK ENERGY se kaha ki uske rehte mai SPEAR ko nahi chhu sakta..

meri baat ka BLACK ENERGY ne vishwas KIYA aur mujhse alag ho gayi..aur aisa hote hi maine SPEAR ke andar apna sara sach chhupa diya...

aur saath hi apne WHITE ENERGY ke kuch kan bhi usme daal diye....

ye maine isiliye kiya kyunki meri hi tarah mere BHAI ke andar bhi GODS SON ke kan hone waale the jiska matlab tha ki agar mai apne kuch kan chhod dun toh mera BHAI apne kano ko mere kano me milakar ek baar bina BLACK ENERGY ko pata lagne diye mujhe sandesh bhej sakta hai...

ye mera sabse mahatvapurna kaam tha jisse maine kar liya tha..par ab ek naye vichar ne mere man me janm liya...

aur wo ye ki jo raasta maine banaya hai,uspar chalne ke baad kisi na kisi mod par mera aur mere BHAI ka dimagi takraav nischit hai..

aur agar mai is takraav me haara toh koi baat nahi par agar jeeta gaya toh meri yojna kharab ho sakti hai

aur isiliye maine ek nayi yojna banayi....

mere saaton saathi ab bhi pure soul the..maine unki madad se ANGELS ko ek sandesh bheja....

jisme maine kaha tha ki unhe mujhse ladhna hoga aur us yudh me mai dikhane ke liye unhe maar dunga par asal me mai unse unki urja lekar un sabko ek WHITE ENERGY se bane SHELL me bhej dunga..

aur unki urja me apni urja milakar PRITHVI me chhod dunga....

aur jab maine ANGELS ko maarne ki baat apne andar base BLACK ENERGY ko batayi toh wo khush ho gaya...

aur wo isiliye kyunki wo chaahe bhi toh ANGELS ko maarne ki anumati usse nahi thi par wo hamesha se aisa karna chahta tha..

usse laga ki mere zariye uska ye sapna pura hone waala hai aur isiliye usne iske liye khushi khushi haan keh diya..

fir maine usse bataya ki ANGELS ko maarne ke liye usse mere shrir se baahar jaana hoga kyunki mai ye kaam sirf apni WHITE ENERGY ke dum par hi kar sakta hun...

BLACK ENERGY ne meri ye baat bhi maan li aur mujhse alag ho gaya..

fir maine wahi kiya jo socha tha...maine ANGELS ki urja ko unsenikalal us urja me apni urja ko mila diya..

aur aisa hote hi us urja ne apna rang badal khudko LAAL kar liya....

mera kaam hote hi vaade ke mutabik us urja ko phool ka roop de maine PRITHVI bhej diya aur saare ANGELS ko ek SHELL me kaid kar diya..

uske baad maine WARRIORS WORLD ke logon ko KAAIWA ka ras pilaya jiska kaat wahi LAAL PHOOL (RAKHT PHOOL) the jinme meri aur ANGELS ki urja thi...

mujhe ye bhi pata tha ki HEAVEN se nikalte waqt meri urja ka ek bohot bada hissa bhi EARTH hai aur us hisse ne bhi ek PHOOL ka roop dhara hai..(SHWETH PHOOL)

Ye mere liye ek bohot achi khabar thi kyunki mai jaanta tha ki kisi na kisi mod par mera aur mere bhai ka yudh bhi zaroor hoga aur tab wo PHOOL istemaal me aayega...

aur fir jaisa mai chahta tha,waisa hi hua....jaise hi VIKRAM LORD OF ANGELS bana aur apne safar ke pehle padhav DHAWALI JHEEL ko pura kar usne SPEAR ko apne haath me pakda,toh us pal uske dimag me mere saath hui saari ghatnaaye ghum gayi...

VIKRAM ko ye bhi pata chal gaya ki DEVIL LORD banane ke baad maine kya kya kiya hai aur saath hi uske liye kis tarah ka raasta taiyar kiya hai....

aur uske baad kya kya hua,ye sab toh aap sab jaante hi hain....


ASMODEUS ne apni kahani bata di thi jisse sun RONIT ke saath saath sabhi ke mooh khul gaye the....


RONIT- sorry bhai...par aaj tak mai tujhe hi planning ka master samajhta tha par tera bada bhai toh tera bhi guru hai.....

RONIT ki baat sun mai muskura diya par...


ASMODEUS- tum galat ho RONIT aur wo isiliye kyunki tumne meri baat thik se suni nahi....

yaad hai maine kaha tha ki maine SPEAR ke andar mere kan chhode the taaki mera bhai mujhe sandesh bhej sake...

jaante ho VIKRAM ne mujhe kya sandesh bheja tha???

tum sabke saath jo bhi ghata hai,wo saari chezen VIKRAM ne unhi kuch palon me soch kar sandesh ke roop me mujhe bhej di thi...

matlab jo kuch bhi hua hai,jo kuch bhi..wo sab VIKRAM ki hi yojna thi.....ISLA me mujhse yudh hona aur us yudh me uska haarna ye ussiki yojna ke tahat hua tha....

COURIOUS me fasna,wahan ke COURIS vriksh ke maadhyam se mere khun ka uske andar jaana.ye bhi VIKRAM ki hi yojna thi...

maine PARIVARTAK ko churaya tha...maine ye isiliye kiya tha taaki agar kabhi mere BHAI ki koi yojna viphal ho,toh mai PARIVARTAK ke sahare us samay me ferbadal kar sakun....

kintu VIKRAM ne meri yojna ko ek naya roop diya..usne mujhe DARK ENERGY ki nazaron me aur bada banane ke liye PARIVARTAK ka istemal khudke nuksaan ke liye karne ki yojna banayi....

VIKRAM ka astitv usse door hona,BHUVIKA ka DEVIL banana,ANJALI ko gaayab karana,ye sab issiki yojna ke antargat uthaye gaye kadam the....

agar ek vaakya me kahun toh itni sadiyon ki tadap ke baad jo shanti mujhe aaj mili hai,ye VIKRAM ke kade nirnay ke wajah se hi ho paaya hai...

isne mujhe azaad karane ke liye khud ko aur unko jinse ye pyar karta hai,unhe tak dukh pahunchaya..

par agar ye aisa nahi karta toh mai kabhi bhi azaad nahi ho paata....


ASMODEUS ki baat sun ek baar firse sabhi ke mooh khul gaye par is baar unke dhyan ke kendra mai ban chuka tha....

RONIT- bhai,mai apne shabd wapas leta hun..tu guru tha,hai aur hamesha rahega...

MAI- chup be nautanki......


yahan ASMDOEUS saare raaz hamare saamne khol raha tha par ye sab khulasa sirf hum hi nahi koi aur bhi sun raha tha aur wo tha...

BLACK ENERGY.......

aur jaise hi humari baat khatm hui....


MMMNNNMMNNMNMNMNMNMNMMMMNMNMMM.......


ek ajeeb si awaaz humare piche si hui..ye awaaz aur kisi ki nahi BLACK ENERGY ki hi thi jo hamari baatein sun bohot zyada ghusse me thi aur apni puri shakti lagakar khudko aazad karne ki koshish kar rahi thi....

har pal uski hulchal badhti hi jaa rahi thi aur fir achanak........


BOOM...........................



ek tez dhamake ke saath meri URJA se bana pinjra blast ho gaya aur aisa hote hi....

BLACK ENERGY tezi se hamari taraf badhi....jahan ye nazara dekh sabhi hadbada se gaye the wahin mai shant hi tha aur NLACK ENERGY ko apni aur badhta dekh mai turant sabke saamne aa gaya tha....

ab ye meri aakhri jung thi aur isse mujhe taakat se nahi ballki buddhi se ladhna tha...


aur is jung me ASMODEUS mera saath nahi de sakta tha kyunki abhi bhi ASMODEUS ki ANGEL FORM ke baahar BLACK ENERGY ki parat thi jiska matlab tha ki wo abhi bhi azaad nahi hua tha..

agar wo BLACK ENERGY ke saamne aa jaata toh BLACK ENERGY turant uske andar sama jaati.....

par mai aisa hone nahi de sakta tha...aur mai ye bhi achi tarah se jaanta tha ki mujhe kya karna hai..maine is pal ke liye bhi sabkuch pehle se soch liya tha.....

aur isiliye....

jaise hi wo BLACK ENERGY hamare aur thoda kareeb pahunchi,

maine apna haath aage kar diya..mere aisa karte hi meri WHITE ENERGY sidhe jaakar us BLACK ENERGY se takrayi....

dono hi shaktiyan apne pure dum kham se ek dusre se bhidi hui thi par ye kya????

BLACK ENERGY dheere dheere meri energy ko piche dhakelte hue meri taraf aane lagi..

aur ye sab dekh mere sabhi gharwaale ghabra se gaye.....

par wo is baar kuch bhi nahi kar sakte the..sabhi dum saadhe is drishya ko dekhe lage...

wahin dheere dheere BLACK ENERGY meri ENERGY ko dhakelte hue mere kaafi paas aa chuki thi..

aisa lag raha tha ki kuch hi palon me mai uski chapet me aa jaaunga par tabhi......


MAI-BEWAKUF....AB TOH SAMAJH...JAB JAB HUM HAARTE HUE DIKHEN,TOH SAMAJH JAANA KI HUM JEETNE WAALE HAIN.....



BLACK ENERGY ko dekh maine ye baat kahi jisse wo samajhne ki koshish me lag gaya aur tabhi......


MAI-AVANTIKA.............

ABHICHAARITA....ABSORBTANCE............



jaise hi maine AVANTIKA ka naam liya,AVANTIKA turant mere piche aakar khadi ho gayi aur uske aisa karte hi maine SPELL bola...

jiske uccharit hote hi meri back se ek ray nikal AVANTIKA par padi aur agle hi pal AVANTIKA mujhme sama chuki thi...

aur jaisa hi aise hua,maine apna haath jisse aage kar maine BLACK ENERGY ko roka hua tha,usse hata liya aur aisa hote hi...

BLACK ENERGY sidhe mujhse takrayi aur agle hi pal....


MMMMMNMNNNNMNNNMMNMMMMNMMMM...


ek ejeeb si awaaz us BLACK ENERGY se nikalne lagi jo ki uske chatpataane ki wajah se aa rahi thi...

aur reason....simple hai yaar...is BRAMHAAND ki sabse shaktishali kawach thi meri AVANTIKA.......aur uske mere andar samane se wo kawach mujhme transfer ho gayi thi..

aur jaise hi BLACK ENERGY ne mujhe bhedne ki koshish ki toh uski takkar ussi kawach se hui jisse chhute hi BLACK ENERGY ki haalat patli ho chuki thi aur wo jal bina machli ki tarah tadap rahi thi...

wahin apna kaam pura hote hi maine AVANTIKA ko khudse baahar nikal diya tha....


MAI-mere BHAI ke andar se apne kan baahar nikaal......


meri baat sunanane ke baad bhi BLACK ENERGY ne kuch nahi kiya aur isiliye.....


MAI-AVANTIKA....jaakar isse ek baar firse chhuo zara......


mere aisa kehte hi BHOOP............


is awaaz ke saath BLACK ENERGY gaayab ho gayi aur aisa hote dekh mai muskura utha...


RONIT- abbe tu has raha hai..wo gayab ho gayi hai....

MAI-gayab hone ka waqt toh tum sabka bhi ho gaya hai....apne apne SHIELD ke paas jaao aur jaise hi mai kahun,usse activate kar dena....

mere aisa kehte hi DEFENDER,RONIT,ANJALI,AKSHAANT,SHAILA aur MOKALSAR gayab ho gaye aur sidhe pahunche apne apne SHIELD ke paas..

sirf wo teeno hi nahi,balki unke saath saath saare ANGELS bhi apne apne SHIELD ke paas pahucnh chuke the....


AVANTIKA-V.J.....inhe kya hua???


ab tak kisika bhi dhyan meri us urja ki taraf nahi gaya tha jisse bhed kar BLACK ENERGY azaad hui thi..

meri wo urja akeli nahi thi balki uske saath THE SEVEN OPOSTLES bhi the jo us blast ki wajah se neeche behosh hokar gire hue the...


MAI-ye sab behosh hain...par ye sab tabhi hosh me aayenge jab ASMODEUS aazad hoga..kyunki ASMODEUS ke jis ANGEL FORM ko hume azaad karana hai,usse ye saathon bhi jude hain..

jaise hi wo part azaad hoga,ye uthjaayenge...


yahan hum baat kar rahe the aur wahan BLACK ENERGY ne khudke sabhi ansho ko pure bramhaand ke har jeeven daayi grah me vibhajit kar diya tha..

aur wo saare ansh bade bade kaale baadalon sa roop liye har grah ko barbaad karne chal pade the....

aur jaise hi wo saare ansh sabhi PLANETS ke orbit ke paas pahunche,


MAI-ABHI........



TEJASATE

ACTIVATE


mere ABHI kehte hi RONIT,ANJALI,DEFENDER,MOKALSAR,AKSHAANT,SHAIA aur saare ANGELS ne ek saath apne apne SHIELD ko chhukar is SPELL ko uchharit kiya aur unke aisa karte hi.....

sabhi ke SHIELD ek saath activate ho gaye...sabhi SHIILDS ek formation banate hue ek dusre ke saath jud gaye aur jaise hi BLACK ENERGY ke saare ansh ANGELS ke SHIELD se takraaye,SHIELD ne ek jaal ka roop le liya jisme saare BLACK ENERGY ke kan fas gaye......


RONIT- oh teri ki...to saale ne isiliye hume bola tha apne apne SHIELD ka kano ko yahan rakhne ke liye...

is saale ko mai kabhi bhi samajh paaunga bhi ki nahi.....

MAI- samajhna chhod aur wapas aa...parcel apne aap yahan pahunch jaayega....


mere aisa bolte hi RONIT,ANJALI, DEFENDER aur VRIHAKH WAASI gayab hokar mere saamne prakat hue wahin ANGELS SHIELD machalti tadapti BLACK ENERGY ko liye hamare paas aane ke liye nikal gayi aur kuch hi palon me BLACK ENERGY ek baar firse mere saamne thi....


MAI-tujhe kya laga ki tu manmaani karegi???tera astitv isiliye zinda hai kyunki manushya ne khud ki khushi se tera tyag nahi kiya hai...

jis din aisa hua,tu hamesha ke liye khatm ho jaayegi..par filhaal ke liye agar tu azaad hona chahti hai toh pehle mere BHAI ko azaad kar...

meri baat sun BLACK ENERGY ne ek kaali ray ke sahare hawa me kuch likha jo tha...


BLACK ENERGY- KABHI NAHI.........IS BANDHAN ME BHI MAI SIRF KUCH HI DER KE LIYE KAID HUN....

JAISE HI MAI AZAAD HUI,TERA BHAI EK BAAR FIRSE MERA GULAAM HOGA......


BLACK ENERGY ne jo likha tha,wo sach tha...ANGELS SHIELD bhi usse zyada der tak cintrol me nahi rakh sakti thi...iska koi permenant solution chahiye tha jo ki filhal mere paas nahi tha...

mai ye sab soch hi raha tha ki tabhi.......

mere saamne ek tez roshni hui aur aisa hote hi meri aankhen chamak uthi...is udhed bund me mai ye bhul hi gaya tha ki BHAVISHWAANI ne kaha tha ki wo aakhir me ek baar aur saamne aayegi aur wo aa gayi....

aur is baar BHAVISHYAWAANI ki chamak ko sirf mai hi nahi,balki sabhi dekh rahe the...

kuch der tak chamakte rehne ke baad:-



WO AISE JUDA HAI JAISE
SHARIR SE AATMA...

ALAG KAR HI HO SAKTA HAI
ASLI DEVIL KA KHAATMA...



PAR YE AASAAN NAHI HAI..

JO AB TAK TUNE KIYA HAI
AAGE KA RAASTA BHI WAHI HAI...


JO UPHAAR TUNE APNE DOSTON
KO DIYE HAIN,UNHE TUJHE
WAAPAS LENA HOGA....

JO TUJHE MILA HAI,USSE BHI
TUJHE WAPAS DENA HOGA.....





ye bol BHAVISYAWAANI aakhri baar chamki aur gaayab ho gayi aur chhod gayi mere chehre par ek muskaan...

mai jaan chuka tha ki BHAVISHYAVAANI ki kahi baat ka matlab kya hai aur mere saath saath ASMODEUS bhi samajh chuka tha aur isiliye...


ASMODEUS- nahi VIKRAM...aisa karne ki zaroorat nahi hai...

MAI-zaroorat hai BHAI..aur tu dil chota mat kar..mai bhi yahi chahta tha....

RONIT,ANJALI,MOKALSAR,AKSHAANT,SHAILA...jo BHAVISHYAWAANI me bataya gaya hai uska matlab hai ki....

SAB- hume malab pata hai...

RONIT- bhai,tu yaad kar ki kya kaha tha humne..tere liye toh hum apni jaan bhi de sakte hain fir ye chizen toh koi maayne hi nahi rakhti......

ANJALI- haan V.J...aur dekha jaaye toh hum iske bina hi thik the yaar.....

AKSHAANT-hume bas is baat ki khushi hai ki hum tumhare saath milkar ye jung ladh paaye....

SHAILA-bilkul aur saari umr hume is baat ka garv rahega ki hum tumhare dost hain...

MOKALSAR- bhale hi tune hume khudke aage apna sir jhukane se mana kiya hai,par hamara dil tere har faisle ke aage jhuka hua hai...

jo tere liye sahi hai,wo hamare liye bhi sahi hoga...

SAB- aur sabse khushi ki baat kya hai pata hai,ki is aakhri daav me hum sab ek saath hain......


kisiko bhi mere doston ki baat samajh me nahi aayi par wo sab chup hi rahe wahin apni apni baat keh mere dost mere baaju me aakar khade ho gaye...


RONIT- toh shuru karen???

MAI-ek saath........

SAB- EK SAATH..........


SAMUPARAHATI SAMPURN SHAKTIYEM

SACRIFICING ALL POWERS


ji haan doston.....yahi tha BHAVISHWAANI me kahe gaye aakhri baat kaa matlab..agar mujhe ASMODEUS ko bachana tha toh mujhe aur mere un doston ko jinhe maine shakti di thi,unhe apni apni shakti ka balidaan dena tha...

jo hum de rahe the...........

hamare ek saath apne apne is zindagi ke aakhri SPELL ko uccharit karte hi ANGELS ki SHIELD toot gayi..

uske tootathe hi BLACK ENERGY firse gaayab hone ko hui par isse pehle ki wo aisa kar paati hum sab ke pure sharir se hamari urja baahar nikli aur sidhe jaakar BLACK ENERGY se takra gayi aur agle hi pal......



BOOMMMM..............



ek tez dhamake ke beech BLACK ENERGY ke saare kan ek jagah akad se gaye....

wo bilkul hil bhi nahi paa rahe the.....aur dheere dheere un saare kano me kampan hone lagi.....

wahin apni saari urja baahar nikalne ki wajah se hum sab neeche zamin par girne lage par isse pehle ki hum neeche girte,hume hamare gharwaalon ne thaam liya...

par hum 6 dost behosh ho chuke the...hamare sabhi gharwaale bohot ghabraaye hue the par bas ASMODEUS shaant khada tha maano wo jaanta hai ki kya hone waala hai...

in sabse alag ab BLACK ENERGY ke kano me aur zyada kampan hone lagi thi jiska matlab tha ki agar jaldi hi wo thik nahi hui toh wo apni shakti hamesha ke liye kho degi...

uska astitv toh insaano ke beech rahega,par jaise har din uski shakti badhti jaa rahi hai,wo fir kabhi nahi hoga...

aur aisa BLACK ENERGY bhala kaise hone deti aur isiliye...

un jakde hue BLACK ENERGY ke kano ke beech se ek kaali ray nikal sidha ASMODEUS ke seene ke beech lagi aur aisa hote hi....


ASMDOEUS ka sharir upar hawa me uth gaya.....aur dekhte hi dekhte uska kaala libas SAFED hone laga jiska matlab tha ki uski aatma jispar BLACK ENERGY ne kabza kar liya tha,wo ab wapas apne ANGEL FORM me aa rahi thi.....

kuch der tak ASMODEUS ka sharir yunhi upar utha raha aur jaise hi BLACK ENERGY ne apne saare kan uske sharir se wapas kheenche,ASMODEUS ka sharir wapas zameen me aa gaya tha....

ASMDOEUS ke wapas ANGEL bante hi saare DEVILS jo jadh hue abhi tak ek jagah par khade the,wo gayab ho gaye....

itna hi nahi,ASMODEUS ko azaad karne ki wajah se BLACK ENERGY bhi azaad ho gayi aur agle hi pal wo bhi gaayab ho chuki thi...

darasal baat ye thi ki BLACK ENERGY ne ASMODEUS ki urja se hi DEVILS banaye the aur agar saare DEVILS ek saath mar jaate toh ASMODEUS bhi ek anant neend me chala jaata..

isiliye DEVILS ko maarne se pehle ASMODEUS ka ANGELS FORM me loutna zaroori tha aur isiliye hi maine mere doston ko DEVILS ko maarne se roka tha....

ye saara drishya hum sabke ghar waale aur DEFENDER dekh rahe the.....

aur wo sab bhi ASMODEUS ke liye bohot khush the....aur jaise hi ASMODEUS wapas zameen par utra,toh uske agle hi pal saare ANGELS aur GODS MESSENGER uske saamne prakat hue aur aaj najaane kitni sadiyon ke baad wo sab ASMODEUS THE CREATURE OF JUDGEMENT ke aage jhuk gaye the...

aur ye sab dekh ASMODEUS muskura utha..wo chalta hua mere paas pahuncha aur neeche baith pyar se mere baal ko sehlaya..

uske haathon se ek roshni nikal mere sir me sama gayi aur aisa hote hi meri aakhen khul gayi...

ye roshni sirf meri hi nahi balki mere sabhi doston ke andar bhi gayi thi jiski wajah se un sab ki bhi aankhen khul chuki thi.....

aakhen khulne par jaise hi meri nazar ASMODEUS par gayi toh mai muskura utha..mera BHAI apne asli roop me tha..issi din ke liye hi toh mera janm hua toh....

mai bata nahi sakta tha ki mai aaj kitna khush tha..kuch waqt tak uske is roop ko dekhne ke baad mai khada hua..mere saath saath mere dost bhi khade ho gaye the...

maine dekha ki saare ANGELS bhi wahan moujud hain aur is waqt ASMODEUS ke samman me jhuke hue hain...

Itna hi nahi,THE SEVEN.OPOSTLES bhi ab hosh me aa chuke the aur wo bhi ASMODEUS ke samman me jhuke hue the...

ye dekh meri khushi aur badh gayi..dekha jaaye toh ab mujhe bhi uske aage jhukna tha aur isiliye...

mai uske aage jhukne ko hua par ASMODEUS turant aage badha aur usne mujhe aisa karne se rok diya....


ASMODEUS-koi bhi apne ohde aur apne naam se bada nahi hota,kaam se hota hai..aur tere kaam ke aage mera naam bohot chota hai mere BHAI....

isiliye tu mere aage nahi balki mai tere aage jhukunga...

ye bol ASMODEUS mere aage sach me jhuk gaya par maine bhi turant usse upar utha diya.....

MAI-mai aapke ohde ki wajah se nahi balki hamare rishte ki wajah se jhuka tha..ek chote bhai ki tarah....

ASMODEUS- teri jagah mere pairon me nahi balki mere dil me hai BHAI....


ye bol ASMODEUS ne mujhe gale laga liya.....hum sabko yun gale lagte dekh sabhi bohot khush the....

hum dono BHAI yunhi gale lage hue hi the ki tabhi....


ASMODEUS-FATHER............


ASMODEUS ke ye kehte hi mai usse alag hua..mai usse kuch kehta ki tabhi.....


hum sab le saamne hawa me ek roshni chamak uthi....is roshni ka tej bohot zyada tha par fir bhi aankhon ko sukoon de raha tha..aur iska sirf ek hi matlab ho sakta tha aur wo ye ki.....

ye ROSHNI aur koi nahi balki khud GOD the..



GOD-TUMHARI NIYATI PURI HUI PUTR....MUJHE GARV HAI TUMPAR....

jaise hi ye awaagujinji,sabhi ke haath aapas ke jud gaye...sabhi ek tak us roshni ko mehsoos karne me lag gaye the.....


GOD-ASMODEUS,AAJ TUM WAPAS APNE PURANE ROOP ME LOUTE HO...

UMMID HAI KI TUMHARE BHAI KI HI TARAH TUM BHI APNE IS ROOP AUR OHDE KA MAAN RAKHOGE....

ASMDOEUS- JEE FATHER....

hum dono se baat karne ke baad ab baari thi humari families ki ya fir ye kahun ki manushya ki...


GOD-MAI DEKH RAHA HUN KI AAP SAB KE MAN ME MUJHSE AASHIRWAAD PRAPT KARNE KI ICCHA JAAGRIT HO RAHI HAI...

YE ACCHI BAAT HAI PAR MERA EK PRASHN HAI...???


AUR WO YE KI KYA SACH ME TUM MANUSHYON KO MERA AASHIRWAAD CHAHIYE???

KYA TUMHE SACHME ISKI ZAROORAT HAI....?????


GOD ke sawal ka matlab kisiko bhi samajh me nahi aaya aur is baat ko GOD bhi jaante the aur isiliye....


GOD-SAMJHATA HUN...VISTAAR SE SAMJHATA HUN...

MANUSHYA JAATI.....MERE DWARA BANAYI GAYI YONIYON ME SHRESTHA YONI.....

EK AISI YONI JISSE MAINE EK AISA MASTISHK DIYA HAI JISSE WO KUCH BHI PRAPT KAR SAKTA HAI....KUCH BHI BAN SAKTA HAI...

AUR SAATH HI EK AISA DIL BHI DIYA HAI JISSE WO HAR EHSAAS KO MEHSOOS KAR SAKTA HAI....

PAR IN DONO HI AASHIRWAADON KA UPYOG ULTA HI KIYA HAI MANUSHYON NE...

JIS DIMAG KO SAKARATMAK CHEEZON KO SOCHNE AVUM KAARYA ME LAANE KE LIYE DIYA GAYA THA USSE MANUSHYA VIDHWANSHI CHEEZON KE BAARE ME SOCH KAARYA ME LAATA HAI....

MANUSHYA KO MAINE EK GRAH DIYA REHNE KE LIYE,AUR US EK GRAH KO MANUSHYON NE MILKAR ALAG ALAG HISSON ME BAAT DIYA...

EK NIYAM THA JO MANUSHYA JAATI PAR LAAGU HOTA THA AUR WO YE KI EK SAATH MILJUL KAR RAHE PAR TUMNE KYA KIYA,KHUD HI KHUDKO SABSE ALAG KARTE CHALE GAYE...



KITNI AJEEB BAAT HAI NAA,KI MANUSHYAJAATI KO MAINE BANAYA AUR FIR BAAD ME JAB MANUSHYA SAMAJDAAR BANA,TOH USNE MUJHE HI BANA DIYA...

APNE HISAB SE ROOP DIYA,NAAM DIYA AUR MERI HI AAD LEKAR ALAG ALAG SAMUDAAYE BANAYE,MAANYATAAYE BANAYI,DHARM BANAYE....

KINTU DEKHA JAAYE TOH DHARM KI NEEV JIS CHEEZ PAR RAKHI GAYI WO GALAT NAHI THI..

KYUNKI HAR DHARM KA SHROTH AUR MUKHYA UDHESHHYA EK HAI...AUR WO SHROTH HAI INSAANIYAT.....

PAR IS SHROTH KO CHHOD BAAKI SABKA PAALAN KIYA MANUSHYA NE....

HAR DHARMGRANTH ME MANUSHYA KE SAHI JEEVEN YAAPAS KA MAARG DIKHAYA GAYA HAI...

KINTU HAR VYAKTI US GRANTH KE UNHI NIYAMO KA PAALAN KARTA HAI,JO USKI SUVIDHA ANUSAAR HOTE HAIN..

BAAKI HAR BAAT KO JO ZYADA ZAROORI HAI,USSE WO NAZARANDAZ KAR DETA HAI....

TUM JIS DESH ME REHTE HO USSIME NAJAANE KITNE HI DHARM HAIN AUR HAR DHARM KI APNI APNI VISHESHTA HAI..



KOI RAAM KO MAANTA HAI

KOI ALLAH KO MAANTA HAI

KOI GURU GOVIND SINGH KO MAANTA HAI

TOH KOI ISAA MASIH KO MAANTA HAI



PAR WAHI LOG RAM KI NAHI MAANTE,

ALLAH KI NAHI MAANTE,

GURU GOVIND SINGH KI NAHI MAANTE,

ISAA MASIH KI NAHI MAANTE



TOH FIR FAAYDA HI KYA???


AUR ISILIYE MAINE PUCHA THA KI KYA SACH ME TUMHE MERA AASHIRWAAD CHAHIYE....


TUM MANUSYON KE SATH JAB BHI KUCH ACHA YA BURA HOTA HAI,TOH TUM MUJHE YAAD KARTE HO...

PAR MAI TOH TUMHARE KARMO KE RAASTE ME HUN HI NAHI TOH FIR MERA NAAM BEECH ME AAYA KAHAN SE???

NAA HI MAI TUMHARE ACHE KARMO ME TUMHARA BAADHAK BAN SAKTA HUN AUR NAAHI TUMHARE BURE KARMO ME TUMHARA SAHAYAK HO SAKTA HUN....

TUMHARE JEEVEN KA FAISLA TUMHARE KARM TAY KARTE HAIN,MAI NAHI....


KARM...JAIRAJ......TUM IS KARM SHABD KE SABSE BADE UDAHARAN HO...TUM AAJ JO KUCH BHI HO,USKE PEECHE SIRF TUMHARI HI MEHNAT HAI,MERA AASHIRWAAD NAHI.....


MANUSHYA JAATI ME PAIDA HONE WAALE HAR VYAKTI KA JEEVEN EK MAHAN LAKSHYA KI TARAF AGRASAR HONA CHAHIYE...

MUJHE EK BAAT BATAO,AAJ JO ZINDAGI TUM JEE RAHE HO,KYA USSE MAHAAN KAHA JAA SAKTA HAI???

TUM APNI KAMAYI KA 10WA HISSA DAAN DETE HO..KYA TUMHE LAGTA HAI KI ITNA KAAFI HAI..YA FIR YE BATAO KI JITNA HISSA TUM APNE PAAS RAKHTE HO,KYA UTNA HI TUMHARE LIYE KAAFI NAHI HAI???

MERE KEHNE KA YE ARTH HAI KI RAAT KO JAB TUM APNE PARIWAAR KE SAATH BHOJAN KARTE HO,TOH KYA TUMHE IS BAAT KA EHSAAS HOTA HAI KI USSI WAQT DOOR KAHIN KOI BACCHA BHUK SE TADAP RAHA HOGA...

KOI MAA APNE HISSE KA KHANA APNE PARIWAR ME KISI KO PAROS RAHI HOGI....

JAB TUM APNE AALISHAN MEHEL JAISE GHAR KE KAMRE ME SOTE HO,TOH KYA TUMHE YE KHAYAL KABHI AATA HAI KI DOOR KAHIN KOI KHULE AASMKN KE NEECHE LETA THAND SE THITOOR RAHA HOGA....

ITNI DAULAT KA KYA LAABH PUTR JAB WO KISIKE KAAM HI NAA AA SAKE...

TUM TOH KHUD EK ANATH THE....BOHOT BURA WAQT DEKHA HAI TUMNE....TOH TUMHE NAHI LAGTA KI AB JAB TUM SAKSHAM HO,TOH TUMHE TUMHARE HI TARAH BACHPAN GUZARNE WAALE BACHHON KE LIYE KUCH KARNA CHAHIYE...

TUMHARE HI TARAH NAA JAANE KITNE HI BACHE ANATH HONGE,TUMHE UNKA PITAH BAN UNKI ZINDAGI SAWARNI CHAHIYE...

JITNA TUMNE ABHI TAK KAMAYA HAI,UTNA HI TUMHARE SAATH PUSHTON KE LIYE KAAFI HAI PAR SHAYAD TUM AISA NAHI SOCHTE..

YE ZINDAGI TUM SABKI APNI HAI..ISPAR AUR KISIKA HAK NAHI...JO DIL ME AAYE KARO.....BAS ITNA YAAD RAKHO KI JIS YONI ME TUM SABNE JANM LIYA HAI AGAR US YONI ME BHI TUM SIRF APNE BAARE ME HI SOCH RAHE HO,TOH TUMME AUR EK JAANWAR ME KOI FARK NAHI HAI.......

MERI BAATON KO SUN TUM SABHI KO LAG RAHA HOGA KI MAI MANUSHYA JAATI KE KHILAAF HUN..

PAR AISA NAHI HAI..KYUNKI AGAR AISA HOTA,TOH AB TAK TUM SABKI HASTI MIT CHUKI HOTI....

JIS AASHIRWAAD KI LAALSA LIYE TUM SAB KHADE HO,WO AASHIRWAAD MAINE TABHI DE DIYA THA JAB TUMHARI JAATI KO.MAINE JANM DIYA THA...

EK AISA AASHIRWAAD JO AVISHAAP BHI HAI...

AASHIRWAAD-AGAR APNE BUDDHI KO ACHE KAAMO KE LIYE PRERIT KAR UPYOG ME LAAOGE,TOH TUMHARA AUR TUMHARE SANSAAR KA UDDHAR NISCHIT HAI..

AVISHAAP-AGAR APNI BUDDHI KO GALAT KAAMO KE LIYE PRERIT KAR UPYOG ME LAAOGE,TOH TUMHARA AUR TUMHARE SANSAAR KA VINAASH NISHCHIT HAI...



VIKRAM.....PUTRA....TUMNE SAHI KAHA THA...TUM JAIRAJ SINGH KE BETE HO...PAR SIRF TAK TAK JAB TAK TUMHARE MANUSHYA JEEVEN KA ANTH NAHI HO JAATA....

JIS DIN BHI TUMHARI AATMA NE TUMHARA YE SHARIR TYAGA,US DIN SE TUM SIRF MERE PUTR KEHLAAOGE....

AUR APNE BHAI KE SAATH MILKAR APNE LORD OF ANGELS KE OHDE KO SAMBHALOGE...

RONIT,ANJALI,AKSHAANT,MOKALSAR,SHAILA..TUM SABNE JO TYAG AAJ DIKHAYA HAI USKA FAL TUM SAB KO MILEGA...

VIKRAM KI HI TARAH JIS DIN TUMHARI AATMA TUMHARE SHARIR SE ALAG HOGI,TOH TUM SABKO BHI ANGELS ME STHAN MILEGA...

ASMODEUS,BEELZEBUB KO BAAHAR NIKALO.....



BEELZEBUB ko ASMODEUS ne apne andar hi rakha tha..kyunki ussiki tarah BEELZEBUB ko bhi BLACK ENERGY ne DEVIL banaya tha...

BHUVIKA ke WHITE ENERGY ki wajah se BEELZEBUB ke andar ki BLACK ENERGY kamzor zaroor padh gayi thi par fir bhi wo uske andar hi thi...

par ASMODEUS ko azaad karte waqt BLACK ENERGY ne BEELZEBUB ko bhi azaad kar diya tha....

GOD ke aadesh dete hi ASMODEUS ne BEELZEBUB ko apne andar se baahar nikala..

BEELZEBUB bhi is waqt ANGELS ke kapdon me tha aur bohot khush lag raha tha..GOD ko apne saamne dekh wo bhi jhuk gaya.....


RONIT dheere se-acha toh isiliye hi isne kaha tha IS SHRAAPIT ZINDAGI SE NIKAALNE KE LIYE DHANYAWAD.....


kuch yaad aaya doston.BHUVIKA ke dwara khatm hone se pehle BEELZEBUB ne kuch kaha tha jisse sun sabhi shocked hue the..wo yahi baat thi....

GOD-DEFENDER.AAJ SE AAP SIRF ISLA AUR WARRIORS WORLD KE HI NAHI BALKI PURE BRAMHAAND KE DEFENDhonHONGE AUR ISME AAPKA SAATH

"THE HEIR OF WHITE ENERGY" BEELZEBUB DEGA.....


GOD ki baat sun DEFENDER aur apna naya odha jaan BEELZEBUB khush ho gaye......

GOD- ALESENDRA,AGAR TUM.CHAAHO TOH HEAVEN ME ASMODEUS KI PATNI KA STHAAN LE SAKTI HO...

ALESENDRA- ye mera soubhagya hoga....

ALESENDRA ne ASMODEUS ko dekhte hue kaha.....

GOD-TUM SAATH...(THE SEVEN OPOSTLES)...TUMNE APNA DAAYITV PURI NISHTA KE SAATH NIBHAYA..

ISILIYE AB TUM SAB BHI MERE MATLAB GODS MESSENGERS KEHLAOGE...

GOD-AVANTIKA.....VIKRAM HI HI TARAH MANUSHYA JEEVEN KO TYAGNE KE PASHCHAT TUM HEAVEN ME BHI MERE BETE KI SHAKTI KE ROOP ME USKE SAATH RAHOGI...

GOD ki baat sun AVANTIKA ka chehra khil utha....


GOD-VIKRAM...TUM AUR TUMHARE DOSTON KI ALOUKIK SHAKTIYAN HI TUMSE LI GAYI.HAI TUM SABKI SHAARIRIK SHAKTIYAN AB BHI TUM SABKE PAAS HI HAI...

AUR JAISA KI MAINE KAHA KI TUM SAB KI ASLI SHAKTI AUR OHDA TUM SAB KA INTAZAR KAREGA.....



YE JO CHIZEN HUI,USKI WAJAH SE AAP SABKE JEEVEN ME UTHAL PUTHAL HUI....

ISILIYE MAI SAMAY KO WAPAS PICHE LE JAA RAHA HUN....

USSI SAMAY PAR JAB AAP SAB LONAVLA ME APNE FARM HOUSE ME THE.....


GOD ke ye bolne ke agle hi pal hum sabke aakhon ke saamne ek flash sa hua aur fir....

sabki aakhen ek baar firse badi ho gayi...kyunki ab hum sab PARALLEL WORLD ke gufa me nahi balki apne farm house ke hall me khade the....


GOD-WAQT GHUM CHUKA HAI...JO BHI UTHAL PUTHAL HUI THI,AB WO KISSA MIT CHUKA HAI.....



iske baad GOD ki awaaz nahi aayi jiska matlab tha ki wo jaa chuke the..

GOD ke jaate hi hi ASMODEUS mere mom dad ke paas gaya aur unke pair chhue......


ASMODEUS- maine kehne ke liye hi aap dono ko mom dad nahi kaha tha..maine dil se aap dono ko apne maata pitah ka darja diya hai...


ASMODEUS ke sir par haath rakh mere oh sorry humare mom dad ne usse aashirwaad diya...


RONIT- bhai,har sawal ka jawab mil gaya bas do reh gaye hain....


ASMODEUS- yahi naa ki jab maine kisi bekasur ko maara nahi toh MADDOX aur DIGVIJAY ki mom jo ki bekasur thi,unhe kyun MADDOX ke haathon marwaya aur jab mom dad mare hi nahi the toh VIKRAM itna upset kyun tha???

RONIT- jawab bhi ek saath hi de de bhai

ASMODEUS-kyunki MADDOX aur DIGVIJAY DEVILS the,isilye unhe janm dene ki wajah se unki MOM bhi ussi shreni me chali gayi thi aur agar wo sadharan tarike se marti toh unki aatma ko bhi ussi andhakaar aur dard bhare duniya me jaana padta jahan har DEVIL tadapta tha..

aur isse bachne ka ek hi tarika tha aur wo ye tha ki unhe khud unka beta maare jisse unki aatma shudh ho jaaye..

aur maine wahi karwaya.....

aisa hi kuch ALESENDRA ke saath bhi hua tha...na chaahte hue bhi wo ek DEVIL ki mom bani thi par khudki kubaani dekar usne bhi apne aap ko us paap se mukt kar liya...

aur jahan tak baat VIKRAM hi hai toh wo jawab yahi dega...


MAI- haan,ab toh yahi bologe naa..arre yaar sab planning bhale hi meri thi par MOM DAD ko maarne ka dhong maine isse karne ko kaha tha par isne mujhe hi fasa diya tha....

aur upset mai isiliye tha kyunki mai soch raha tha ki ASMODEUS ne agar hum insaano ke baare me galat nahi socha hota,HEAVEN se nahi nikla hota toh ye sab prapanch karne ki zaroorat hi nahi padti par fir mai samajh gaya ki jo hua,usse hona hi tha....

(aapko yaad hoga doston ki update number 115 me GOD ne VIKRAM ko kuch scenes dikhaye the..wo isiliye hi dikhaye the taaki VIKRAM samjhe ki ASMODEUS kyun insaano se naaraz hua tha)

RONIT- oh aisa....

MAI- haan aisa..ab bina khaye chup khada reh thodi der....


iske baad ASMODEUS mere pure parivaar se mila aur zindagi me pehli baar ALESENDRA apne bete BEELZEBUB se lipatkar royi...

aansu BEELZEBUB ke aankhon me bhi the par wo khushi ke the.....

kuch der tak apne bete ke gale lage rahne ke baad ALESENDRA usse alag ASMODEUS ke gale lag gayi....

MAI- toh ab bani aap hamari official bhabhi.........


meri baat sun ALESENDRA aus ASMODEUS ke chehre par muskaan naach gayi......

sabse ek baar dobara mil aur mujhse gale lag ASMODEUS,meri bhabhi ALESENDRA aur mujhse hazaron saal bada mera BHATIJA BEELZEBUB gayab ho gaye.....


MAI- chalo.........tention khatm...

ahhhhh....mom kaan kyun pakde ho mera aap??maine kya kiya????

MOM- kaan kyun pakdi hun,haan???itni badi baat chhupayi tune humse???

MAI- kaun si baat???sab toh pata hai aap sabko....

MOM-chup...tune hume bataya kyun nahi ki tu aur AVANTIKA ek dusre se pyar karte ho???


WHAT????

MAI- lag gayi.....

WHAT ka response mere un family members se aaya tha jo is baare me kuch bhi nahi jaate the.....

Waise toh un sabne GOD ki AVANTIKA se kahi baat suni thi par wo samajh nahi paaye the par mom ki baat sun sabhi sab samajh chuke the...

RONIT- par aunty aapko kaise pata chala...???

MOM-aur kaise??mere bade bete ne bataya....jab hum sab us cube ki duniya me the toh isse aur usse related saari baaein hume pata chal gayi thi...

MAI- arre mom,aap kahan uski baaton me aa gaye..wo toh hai hi shakuni buddhi waala...

DAD- oye chup kar..shakuni buddhi ka theka tum dono ne hi liya hua hai..aur waise bhi,usne toh abhi abhi hume ye sab bataya,par tum dono toh kaafi time se ek saath ho...


ab mai kya kehta...


MAI-arre mai sahi time ka wait kar raha tha???

MOM- acha..kaun se sahi time ka???

MAI-ye abhi...issi time ka toh wait kar raha tha mai...

RONIT-chup be noutanki...chupchaap sorry bol aur shaadi ka muhurt nikalwa..issi bahane tere saath saath hamari bhi ho jaayegi...


RONIT ki baat sun ANJALI aur AVANTIKA,dono ke hi gaal sharm se laal ho gaye....


AKASH UNCLE- kamal hai..ek ladka kuch kehta nahi aur dusra shaadi tak pahunch jaata hai...

MAI- ab nange ko kaisi sharm uncle....khair chhodiye,isse miliye,aapki bahu......



ye bol maine AVANTIKA ka haath pakda aur sabke beech usse khada kar diya......

mere aisa karne se AVANTIKA ki sharm aur badh gayi....

khair,meri baat sun pehle sab hase aur uske baad sabhi ne AVANTIKA ko gher liya aur fir shuru hui inki baatein jinhe suna mai aap sabko bore nahi karunga....aur isiliye......




FAST FORWARD SCENES:-




hum sabki zindagi wapas track par aa gayi.AVANTIKA ke gharwaalon se bhi mere gharwaalon ne baat kar li aur thank god unke ghar waale bhi hasi khushi hum dono ke rishte ke liye maan gaye warna khamakhwah iske upar bhi ek story likhni padti.....

meri AVANTIKA ki aur RONIT ANJALI ki shadi hamare education complete hone ke baad fix kar di gayi.....

ab dad aur uncle ki company se jo profit hota tha,uska 90 profit donate kiya jaata tha....

vrihaak waasi wapas ISLA aur WARRIORS WORLD lout gaye....

apne bete ke wapas aane ke baad bhi LORD CRUSEDAR ne apna shashan MOKALSAR aur AKSHAANT ke haathon me hi soumpa aur is baat se unki family waalon ko bhi koi problem nahi hui.....

BHUVIKA toh COURIOUS waasi thi isiliye usse wapas apne grah loutna pada...

DEFENDER aur BEELZEBUB GOD ke kahe mutabik pure BRAMHAAND me shanti failaye rakhne ka daayitv nibhane lage...

aur hum sabse upar......


ASMODEUS apni patni yaani meri bhabhi ALESENDRA ke saath apne ohde CREATURE OF JUDGEMENT ko sambhal raha tha..

par uski nazaren har waqt mujhpar hi rahati thi...

issi tarah waqt apni raftaar se aage badhta raha....par.........



AISE HI EK ROZ.........




AVANTIKA- kahan jaa rahe ho????

MAI-paani khatm ho gaya hai...wo shop se ek bottle lekar aata hun...



sunday ki ek subah mai aur AVANTIKA yunhi long drive par nikle the..highway ke side me mujhe ek general store dikhi jisse dekh maine car side me lagayi aur paani ki bottle lene dukan ki taraf chal pada.....



THIK USSI WAQT HEAVEN ME:-



ALESENDRA-kya baat hai???aap bada muskura rahe hain????

ASMODEUS- mai soch raha tha ki ab jab mere bhai ke paas uski beshumar shaktiyan nahi hain..

aur ab jab wo ek saadharan manushya ki zindagi jee raha hai unhi kamzoroyon ke saath jo ek manushya me hoti hai....

toh kya aise me aaj bhi uska man waisa hi hai jaisa LORD OF ANGELS ke waqt hua karta tha....

ALESENDRA- ye toh mujhe nahi pata par itna zaroor bata sakti hun ki aapke dimag me kuch na kuch masti chal rahi hai.....


ALESENDRA ki baat sun ASMODEUS muskura utha.....


ASMODEUS- dekhti jaao...sab pata chal jaayega....



ASMODEUS ki baat sun uske saath saath ALESENDRA ki bhi nazar neeche mujhpar tik gayi....

shop se paani ka bottle lekar mai jaise hi palta toh meri jaan halak par aa gayi...

reason.....


AVANTIKA car se utar kar ROAD ke ek corner par apne mobile se baat kar rahi thi...

aur thik ussi ROAD ke dusre kone me ek chota sa bacha akela khada hua tha...

par mere achanak darne ki wajah thi wo do trucks...jinme se ek AVANTIKA ki taraf badh rahi thi aur dusri us maasum bache ki taraf...

aur un trucks aur AVANTIKA/BACHE ki doori bas 5 seconds ki thi...

meri sharirik shakti toh abhi bhi mere paas thi par fir bhi mai itna tez nahi tha jo dono ko ek saath bacha leta...

mai kisi ek ko hi bacha sakta tha aur isiliye....

maine ek faisla kiya aur faisla karte hi maine doud laga di aur kuch 4 seconds me hi mai us bache ke paas tha...

mere usse uthate tak hi dusri truck AVANTIKA ke paas pahunch chuki thi....

aur ab mai kuch bhi nahi kar sakta tha..bache ko apne baahon me samet maine apni aakhen band kar li aur.........


KYA HUA??AISE KYUN KHADE HO??AUR TUM IS TARAF BHAAGE KYUN????


ye awaaz mere piche se aayi thi jisse sun mai jaise hi palta,shocked reh gaya..

reason...mere saamne AVANTIKA khadi thi..usse dusri side dekh mai turant us taraf palta jahan par maine AVANTIKA aur TRUCK ko dekha tha par jaise hi mai us taraf palta,mai firse shocked ho gaya....

reason...........

wahan par kuch bhi nahi tha..road pura khaali tha....


AVANTIKA-kya hua???kya dekh rahe ho??aur ye haath kyun baandh rakhe hain????



AVANTIKA ki baat sun jab maine apne haathon ko dekha toh jahan kuch der pehle ek bacha tha,wo haath ab khaali the....

kuch nahi tha unme......

par is baar mai shocked nahi hua bas has diya......


reason....mai jaan gaya tha ki ye sab mere bade BHAI ki kaarastaani hai....saala mujhe test kar raha tha....


AVANTIKA-ab has rahe ho???ho kya raha hai?????

MAI- kuch nahi yaar..wo mujhe laga ki yahan koi hai jisse mai jaanta hun isiliye doudta hua yahan aaya..

AVANTIKA-accha....aur haath kyun baandhe hue hain tumne...

MAI- socha ki jab tum mere paas aaogi toh aise hi tightly hug karunga tumhe...

AVANTIKA- hain!!!!!!!

MAI-oh sherlock holmes ki maa..bas kar yaar..kitne sawal puchegi..

AVANTIKA-waah..khudhi ajeebogareeb harkat karte ho aur mujhe kehte ho...

MAI-hum toh shuru se hi ajeeb hain..tumhe abhi pata chala..khair,chalen???

AVANTIKA-chalo....


mai AVANTIKA ko liye car ki taraf chal pada....


chalte hue maine jab upar dekha tab mujhe aasman me ASMODEUS ka hasta shararti chehra dikhayi diya...



MAI-AAP MUJHSE MERI SHAKTI CHEEN SAKTE HAIN,MERA ASTITV CHHIN SAKTE HAIN,MERA OHDA LE SAKTE HAIN PAR EK CHIZ AAP MUJHSE KABHI NAHI LE SAKTE.........MERA............


ATTITUDE........................





IS KAHANI KE LIYE ITNA HI PAR.......

5000 SAAL BAAD:-





AAJ PAANCH HAZAR SAALON SE MAI BINA KISI ROOP KE GHUM RAHA HUN AUR YE SAB SIRF USKE KAARAN....


VIKRAM YE TUNE ACHA NAHI KIYA MERE SAATH......AUR ASMODEUS,TU.......MAINE TUJHE DEVILS KING KE NAAM SE NAWAZA..


TUJHE BEHISAAB SHAKTIYAN DI AUR TUNE MUJHE HI DHOKA DIYA....AUR WO BHI US GOD KE LIYE.........


PAR KOI BAAT NAHI,HAAR JEET TOH LAGI REHTI HAI...BEETA KAL TUMHARA THA,AANE WAALA KAL MERA HOGA......


MERE SAATH SHADYANTRA KARTE WAQT TUM DONO BHAIYON KO PATA BHI NAHI CHALA KI TUM DONO KI SHAKTI SE KAUN SI NAYI MUSIBAT JANM LE RAHI HAI.....




PAR MERI NAZAR USPAR PADH GAYI.....HAHAHAHAHAHAHAHAHAHAHA.....



AB DEKHNA,TUM DONO KI SHAKTI KO MAI ROOP DUNGA....AISA PEHLI BAAR HOGA JAB PITAH KOI AUR HOGA PAR JANM DAATA KOI AUR........



ye bol ek moti kaali ray aage badhi aur uske saamne padi ek bohot prakashwaan urja par padi aur jaise hi ye hua,us urja ne ek roop lena shuru kiya aur dekhte hi dekhte us urja ne ek INSAANI ROOP le liya....

ek behad hi khubsoorat insaani roop....par filhal uski aankhen band thi....



HMM...ADHBHUDHHHHH....SHAKAL TOH APNE DONO PITAH PAR HI GAYI HAI TUMHARI...


AADHI VIKRAM PAR AUR AADHI ASMODEUS PAR.....


JAB SURAT PITAON PAR GAYI HAI TOH NAAM BHI UNPAR HI HONA CHAHIYE,HAINA????


PAR KYA????


VIKRAM.......ASMODEUS....

VI...........................DEUS....


ARRE WAAH,ITNI JALDI NAAM BHI MIL GAYA.....



TERA NAAM HOGA ''VIDEUS''........



EK AISA NAAM JO BADAL DEGA PURI KAHANI AUR SAATH HI BADAL JAAYEGA SABKA


ATTITUDE..............





ALVIDA DOSTON......


 

Top