Fantasy ATTITUDE.....( MAGIC + ROMANCE ) (Completed)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI ALESANDRA ASMODEUS SE WARRIORS WORLD KO CHHOD DENE KE LIYE KEHTI HAI .ASMODEUS MAAN TOH JAATA HAI PAR BADLE ME LORD CRUSEDAR SE THE LOCKET OF POWER KI DEMAND KARTA HAI. LOCKET MILTE HI ASMODEUS PURE WARRIORS WORLD KO PEHLE JAISA THIK KAR DETA HAI.IDHAR APNA HERO VIKRAM SAPNE ME DO ALAG ALAG DRISHYA DEKH RAHA HAI KI KISI KI AWAAZ SE UTH JAATA HAI. AB AAGE.......



CHAPTER - 1

( DEVILS ENCHANTMENT AND THE HOLY SPIRIT )


( DOSTON AB JAHAN JAHAN VIKRAM HOGA STORY USSI KI ZUBANI CHALEGI )


UPDATE - 13


mai uth kar baith gaya. Mera pura sharir pasine se bhiga hua tha. Sir me bhi halka halka dard tha,jo pehle kabhi nahi hua tha .mai aage aur sochta par usse pehle hi alarm ne apna besura raag alaapna shuru kar diya....time dekha toh 5.30 baj chuke the.ye mera roz ka schedule tha, roz 5.30 ko uthkar fresh ho mai jogging par jaata tha.maine apna sir jhatka aur chal pada fresh hone. Fir track suit pehen kar niche hall me aa gaya.abhi tak koi jaaga nahi tha.mai bahar aagaya.abhi garmi ke mausam ki shuruat ho gayi thi isiliye suraj maharaj hamse pehle hi uth chuke the.maine ek zor ki angdai li aur chal pada thodi door bane garden ki taraf jo ki hamare area ka common garden tha. Chalte chalte mere dimag me wahi sapna ghum raha tha,.aisa sapna mujhe pehli baar aaya tha.mujhe us ladki ki aankhen baar baar yaad aa rahi thi aur us ke baad ka wo khaufnaak manzar aur wo safed putliyon waali aankhen bhi.fir wo aawaz jisne mera naam pukara tha,aakhir ye sab tha kya.science kehta hai ki humari soch ka kuch hissa hamare dimag ke piche waale hisse jisse MEDULLA OBLAGANTA bhi kehte hain waha bas jaata hai jisse sapno ka janm hota hai,par maine toh kabhi aisa socha hi nahi phir bhi aisa sapna!!! Mai ye sab sochte sochte kab garden pohonch gaya pata hi nahi chala.

Garden pahunchte hi maine apne dimag ko jhatka aur chal pada jogging karne.

VICKY.....abhi ek round hi complete hua tha ki mujhe kisi ne pukara par mai ruka nahi.

RONIT - saale, kabse aawaz dera hun behera ho gaya hai kya.

MAI - saale, jab jaanta hai mai jogging karte waqt nahi rukta toh awaaz deta hi kyun hai!!!

RONIT- abbe, thoda rook jayega toh kaun si aafat aa jayegi...

MAI - abbe aafat se yaad aaya, ANJALI kahan hai...

RONIT- oh Teri !!!! Tere chakkar me usse udhar hi chhod diya lagta hai.

Abhi dono me se koi kuch aur kehta, usse pehli hi mere peeth me ek mukka pada,mere hi nahi RONIT ko bhi.

AAAHHH. ye awaz meri nahi RONIT ki thi

Hum dono hi rook gaye.palat kar dekha toh mooh fulaye ANJALI khadi thi aur hame ghur rahi thi....

RONIT- oye, pagal ho gayi hai kya.itne zor se kaun marta hai...

ANJALI- mai marti hun naa. Saale,VICKY ko dekha nahi ki bhaag khada hua aur mujhe udhar hi chhod diya.Aur tu,kya bula raha tha mujhe, AAFAT!!! Abhi batati hun aafat kya hoti hai.

MAI- rook jaa meri maa, aur saans le. Ye aafat word bhi is RONIT ka hai.wo hamesha mere saamne tujhe aafat hi bulata hai. Aaj maine bol diya.

Ek taraf ye sunkar ANJALI ka chehra tamatar ki tarah laal ho gaya wahin dusri taraf RONIT ka chehra pila pad gaya.ye inka hamesha ka tha, jab bhi VIKRAM kahin fasta tha toh RONIT ko aage kar deta tha.

RONIT - Kasam se ANJALI, aisa kuch nahi hai. Ye saala khud ko bachane ke liye humko lada raha hai.

MAI- mai lada raha hun.acha beta baap se hoshiyari. Teri saari pol patti kholunga naa tab tujhe samajh aayega.

Ye sun RONIT ka chehra peele se kaala pad gaya. Bechara dono taraf se fas gaya tha.RONIT ko aisa dekhkar ANJALI ka ghussa furr go gaya aur wo khilkhila ke has padi.ANJALI ko haste dekh RONIT ki jaan me jaan aayi.

ANJALI- tum dono apni nautanki band karo.aur mujhe bewakuf banane ki toh sochna bhi mat.

MAI dheere se, ab bewakuf ko bewakuf banane ki kya zaroorat!!!

ANJALI- kya bola..

MAI- kuch nahi, bas bach gaye bol raha tha.ab tum dono ka ho gaya ho toh jogging karen.

ANJALI- haan toh maine kab mana kiya hai.tum.dono hi jab dekho matargashti me lag jaate ho.ye bolte bolte ANJALI daudte hue aage badh gayi.hum bhi uski baat pe haste hue uske peeche peeche jogging karne lage


Acha maine aapko bataya nahi , meri RONIT ki aur ANJALI ke bunglows PALI HILLS me walking distance pe hi hai.Mera ghar pehle street par hai, RONIT ka dusre me aur ANJALI ka third street me hai isiliye hum teeno hi har din accept sunday issi garden me jogging karne aate hai.school wagahera bhi hum teeno saath hi jaate hain..


Hum jis garden me jogging karte hain wo kaafi bada hai.ek round hi lagbhag 1 km jitna bada hai.ANJALI aur RONIT toh 2 rounds lagate hi thak gaye aur jaakar ek bench par baith gaye.par mai doudta raha. Jab 5 rounds khatm hue toh mai bhi jaakar undono ke paas baith gaya.ye mere roz ka tha.

RONIT- saale mujhe samajh nahi aata ki tu ladka hai ki ghoda.doudta hi chala jaata hai.

ANJALI- haan yaar. Aur abhi bhi tere thobde me koi thakan nahi dikh rahi hai. Ab mai inhe kya batata, mujhe toh khud samajh nahi aata ki mai aisa kyun hun.mujhe thakan toh lagti hai par bohot kam.dus logon jitni mehnet toh mai aaram se kar leta hun. Aur uske upar mujhe kabhi bukhar nahi aata, nahi zyada thand aur garam se koi fark padta hai.chot bhi mujhe badi muskil se lagti hai, aur wo bhi jaldi thik ho jaati hai.

MAI- aisa kuch nahi hai, wo kya hai naa tum dono thehere aalsi toh mai toh tumhe zyada fit lagunga hi naa..

RONIT/ANJALI- kya kaha tune, hum aalsi.abhi bataate hain.fir dono daud pade mere piche mujhe pakadne. Thodi der mai unhe doudata laga par jab maine dekha ki dono thak rahe hain toh khudko unke hawale kar diya.

RONIT- ab bol kaun aalsi hai.ye bolke dono ne mujhe maarna shuru kar diya.

MAI- acha acha sorry.maaf kardon mahatmao. Tum dono nahi mai alsi hun.ab khush...

ANJALI- haan, ab aaya na unt pahad ke niche...

Mai- haan maate, aap jeete mai haara.ab ghar chalen, aaj waise bhi RONIT ka favourite day hai...

RONIT ko ye sunke jaise hosh aaya.

RONIT- saalon, tum dono mujhe marwaoge.maine socha tha thodi der JOGGING karunga fir ghar jaa ke 1 ghanta revision karunga par tum dono ke chakkar me late ho gaya.

ANJALI- koi nai,waise ek ghante me tu kya kar lega jab pure saal me kuch nahi kar paaya.

MAI- aur nahi toh kya.zero ko kisi ke saath bhi multiply kar,answer zero hi hota hai.mere
ye bolte hi anjali zor zor se hasne lagi aur saath me mai bhi.

RONIT- hans lo saalo hans lo. Ek din mera bhi aayega tab bataunga.

MAI- tab ki tab dekhenge.abhi kya karega wo bata..

RONIT- yaar mera toh dimag hi fuse ho gaya hai.samajh nahi aa raha hai kya karun...

RONIT ki shakal roni si ho gayi thi.mujhse zyada dekha nahi gaya...

MAI- chal chal, zyada ro mat..ye le,maine apne track shirt ki jeb se ek folded paper nikala aur RONIT ko de diya.

MAI- isme kuch imp formulas hain aur kuch equations hain jo aa sakte hai aaj ke paper me.rat liyo.paas ho jaayega.( ab tak toh aap samajh gaye honge ki aaj hamara maths ka paper hai, aur hamare RONIT bhai saab maths me sabse aage hai par PEECHE se....)

RONIT- thanks bhai.tu mera sabse acha dost hai.

ANJALI- kya bola aur mai jo pichle ek mahine se tujhe maths padhaa rahi hun uska kya.

RONIT- arre tu naraz kyun hoti hai,tum dono hi meri jaan ho.

MAI- apni jaan apne paas rakh aur paas hokar bas ek party de diyo samjha.

RONIT- saale matlabi insaan.chal fir bhi thik hai,de dunga party,tum dono bhi kya yaad karoge ki kis dildaar se paala pada tha.

MAI- saala nautanki.fir kuch aur aise hi baatein hui.thodi der baad ek dusre ko bye bolkar hum apne apne ghar nikal gaye.


Jab mai ghar pahuncha toh saame hall pe mujhe MARTHA AUNTY saaf safai karti hui dikhin .(ye hamari ghar ki head maid hai.dil ki bohot achi hain aur mujhe apna beta manti hain)

MAI- good morning MARTHA aunty. How are u this morning...!!!

MARTHA- oh good morning VICKY baba. I'm absolutely fine. Hmm, i must say, fitness aur discipline me aap bilkul aapke dad pe gaye hain.

MAI- obvio aunty. LIKE FATHER LIKE SON.

MOM- Sirf discipline me nahi mera bacha har cheez mai apne dad jaisa hai...

Maine palat kar dekha toh mom aa rahi thi.

MAI- good morning mom

MOM- good morning betaji.

MAI- papa ke jaisa toh mai hun.waise mom ek baat puchun???

MOM- haan betaji pucho!!!

MAI- aap aisa kya lagate ho jo aaj bhi itne young dikhte ho. I mean seriously,koi agar hume saath me dekhega toh apko meri badi sister hi samjhega.

MOM- MARTHA maine kaha tha na ye bilkul apne dad jaisa hai. Betaji aapka ye charm mujhpe nahi chalega.aise dialogues tere dad ke mooh se bohot sun chuki hun mai.

MAI- par mom dad ne apko apni badi sister kab bola tha??

Pehle toh mom samjhi nahi par jab samjhi toh mere kaan pakad liye

MOM- badmaash, apni mom ki taang khinchta hai.

MAI- aaahhh, par MOM mere haath toh ye rahe dekho, mai kaise apki taang khichunga..

MOM aur MARTHA dono meri baat par has pade.

MARTHA- mam VICKY baba bohot naughty hain aur WITTY bhi.aap inse baaton me nahi jeet sakte.

MAI- haan, wo toh hai.Maine mom ko ek tight hug kiya, mom ne mera maatha chum liya.

MOM- toh betaji, aaj apka last paper hai.jao taiyar hokar jaldi se breakfast karne aa jao.

MAI- ok mom. Fir mai sidha apne room gaya.shower leke uniform wagaira pehen ke sidha neeche hall me aagaya. Dining table pe dad mom dono baithe the.

MAI- good morning dad...

DAD- good morning champ. So whats up? All set, haan....

MAI- yup dad, I'm all ready....

DAD- aaj maths ka paper hai naa.

MAI- yes DAD. Aur aaj last paper hai.fir HOLIDAYSSSSSSSSSS.......

DAD- WOW. somebody is very very excited....chalo fir thik hai,aap paper dekar aajao, fir plan banate hain ki vacations me kaha jaana hai.

MAI- u r the best dad. RONIT aur ANJALI se bhi bol dunga.

MOM- tu nahi bhi bolega toh wo kaun sa tujhe akele kahin jaane denge.

DAD- haan bhai ye bhi hai.tum ek kaam karna ,shaam me un dono ko bhi bula lena fir mil kar decide karenge.

MAI- ok dad. Ab tak MARTHA aunty ne bhi nashta laga diya tha, toh sab chup chap khane lage. Mom ka ye rule tha ki khaate waqt koi baat nahi karega.

Breakfast karke mai mom dad ko bye bol bahar nikal gaya.
Mai lawn pahuncha hi tha ki RONIT aur ANJALI andar aate dikhe.mai unki taraf hi chal diya.

MAI- toh fir. Kuch samjh aaya.

RONIT- haan yaar thoda bohot toh dimag me ghusa hai.ab dekhte hai kya hota hai.

ANJALI- zyada tention na le, pass ho jayega.

Mera school mere ghar se kuch 8 km door tha. Mai RONIT aur ANJALI car se ek saath school jaate the.

Abhi hum baat hi kar rahe the ki mujhe gate ke bahar ek sadhu baba dikhe jo hamare security guard se baat kar rahe the. Najane mera man kyun unse baat karne ko hua.

MAI- tum dono driver uncle se car nikalne ko kaho, mai ek min me aaya. Fir mai sidha un baba ki taraf chal diya. Jab mai unke paas pahuncha toh najane kyun mera man unke pair chune ko kiya. Maine unke pair chue

BABA- chiranjeevi bhav, nirbhaya bhava.

MAI- kuch chahiye tha baba apko.

Baba halki muskan ke saath

BABA- haan putra, mujhe tumhare mata pita se milna tha.

MAI- mom dad se, aap unhe jaante hain!!!

BABA- bohot ache se.

RONIT- wahan kya kar raha hai. Chal na late ho jayenge bhai.

Mai- thik hai baba. Aap jaaiye.

Unhone mere sir par haath phera,aur andar chal diye.

Mai bhi unke piche piche apni car ke paas chal diya.

RONIT- saale, hamesha late karwata hai, wahan kya ghaas chiil raha tha.ek toh maths ka paper hai uske upar tu idhar udhar ghum raha hai.

Mai- ab late nahi ho raha hai kya.aur apna mooh band rakha kar, jab bhi kholta hai manhoos baatein hi nikalti hai.paper kahan se acha jayega tera.

ANJALI meri is baat pe zor se has di. RONIT mooh banakar baith gaya.fir kuch khaas nahi hua hum teeno apne school ke liye nikal gaye.


Mere jaane ke baad

Mom dad apne room me the ki MARTHA aunty ne aakar bataya ki koi milne aaya hai.mom dad jab bahar aaye toh saamne waale ko dekhkar shocked ho gaye aur khush bhi.

DAD- gurudev aap.ji haan ye aur koi nahi BABA VISHAKHT the.

Mom dad dono ne BABA VISHAKHT ke pair chue.

MOM- ham dhanya ho gaye GURUDEV jo aapke darshan hue. Par aapko hamara pata kaise mila.

BABA VISHAKHT mom ki baat sun kar muskura diye.

BABA VISHAKHT- maine aapka pata khoya hi kab tha jo kuch dhundna padega.aur waise bhi aaj JAIRAJ is samaj ke ek prasidh aur mananiya vyakti hain.apka pata lagana bohot aasan hai.

Minu- shama kare maharaj.abhi tak aap khade hai.aayiye, bathiye. Teeno jaakar sofe par baith gaye.

MOM- kya lenge GURUDEV. Naashte ka waqt hai.mai nashta lagati hun.

BABA VISHAKHT- uski aawashyakta nahi hai putri.meri shudha (bhook) toh VIKRAM ko dekh kar hi mit gayi.

DAD- ji gurudev.jaisa aapne kaha tha hamara putra bilkul waise hi hai.

BABA VISHAKHT- maine kuch aur bhi kaha tha.wo yaad hai..

Mom aur dad dono ne ek dusre ko dekha,fir saamne baithe guruji jo.

Dad/mom- shama karen gurudev. Par kaun si baat.

BABA VISHAKHT- yahi ki jab bhi sahi waqt aayega mai aapse kuch manguga aur aapne wada kiya tha ki aap denge.

DAD/MOM- haan hame yaad hai gurudev. Bataiye kya chahiye aapko.

BABA VISHAKHT- mujhe kuch samay ke liye aapka putra chahiye.

DAD ye sunke shocked ho gaye aur mom ko toh laga ki gurudev ne unse unki jaan hi maang li hai.

BABA VISHAKHT- ghabrao mat bacho. Mujhe VIKRAM kuch hi dino ke liye chahiye.

Ye baat sunkr mom aur dad ki saans me saans aayi

DAD- kya mai puch sakta hun GURUDEV ki VIKRAM hi kyun!!!

BABA VISHAKHT- putra, sab toh nahi par kuch baatein mai bata deta hun. Tum jitna ajeeb is sansaar ko samjhte ho ye usse kai zyada ajeeb hai. Bhavishya me aisi bohot si cheeze hongi jinse tumhare putra ki jaan ko khatra hoga. Aur yakin maano agar maine tumhare putra ko uchit shiksha naa di toh uski mrityu nishchit hai. Wo shiksha yahan sabke saamne khule me nahi di ja sakti isiliye mujhe VIKRAM ko apne saath le jaana hoga.

Dad toh abhi bhi soch rahe thr par mom ne jab se meri jaan ko khatra ho sakta hai ye suna tha, unki haalat kharab ho gayi thi.

BABA VISHAKHT- MINU putri, tumhe ghabrane ki awashyakta nahi hai.tumhara putra maha shaktishali hai.bas usse sahi margdarshan ki awashyakta hai.usse mere saath bhej ne me hi uska kalyan hai.aage tum dono ki icha.

Dad kuch der tak sochte rahe phir kuch faisla kar bole

DAD- GURUDEV, hamare liye hamare bache ki zindagi se badhkar aur kuch nahi.agar aap ke usse lejaane se wo surakhit ho jayega toh mujhe koi dikkat nahi hai.

MOM- haan mujhe bhi nahi hai bas mera bacha thik rahe.
Waise GURUDEV aap VIKRAM ko kab le jana chahte hain.aur kab tak usse rakhenge

BABA VISHAKHT- mai VIKRAM ko 2 din baad lene aaunga. 45 din VIKRAM mere saath rahega. Fir mai usse yahin chhod jaunga.par is baat ka dhyan rahe ki kisiko bhi ye na bataya jaae ki VIKRAM kahan gaya hai.

DAD- thik hai GURUDEV.jaisi aapki icha.
BABA VISHAKHT ne fir MOM DAD se vida liya aur chale gaye par mere mom dad ko gehri soch me chhod gaye.


DUSRI TARAF EK PLANET JAHAN ROAHNI AUR JEEVAN KA NAAMO NISHAN TAK NAHI HAI, HAR TARAF SIRF KAALE GEHRE KHAI AUR BADE BADE CHATTAN.....

achanak ek roshni si hoti hai aur ek WORLD DOOR ban jaata hai aur usse bahar aata hai ek kaala saaya jo dheere dheere ek badi si chattan ke saamne aakar rukta hai...
Wo kaala saaya apne ek haath ko aage kar deta hai.uske haath se ek tez roshni nikalti hai aur BOOMMMMMMM.......... chattan ke tukde tukde ho jaate hain.par ye kya chattan ke tuthte hi andar ek rasta sa ban jaata hai.ye Koi gufa si lag rahi thi jisse chattan se dhaka gaya tha. Wo kaala saaya gufa ke andar chala jaata hai.andar bilkul andhera tha.par aisa lag raha tha jaise kaale saaye ko sab kuch saaf saaf dikh raha hai. Thodi der andar jaane ke baad kaala saya ruk jaata hai.apne dono haath failata hai aur kehta hai.


ADRISHYA SHAKTIYEM DRISHYAM BHAVA

aur issi ke saath uske haath se kaale rays nikalkar har taraf jaane lagte hai.

Dhammmm..... aahhhhhhh....

Wo gufa roshni se chamak uthta hai saamne koi diwal se takrakar gir jaata hai.

Hua ye ki wo kaali rays ek jagah jakar ek invisible force se takrati hain.wo force sidha jaakar diwar se takrata hai aur fir dikhne lagta hai....

UNKNOWN- ASMODEUSSSSS... tu tu tu...tum yahan....kaise?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?
(Jee haan doston, ye kaala saaya aur koi nahi ASMODEUS tha)

ASMODEUS- bohot ghumaya tumne yaar. Waise achi jagah hai ye ASMODEUS se chupne ki. Par hamesha ke liye chupa ja sake aisi koi jagah is bramhaand me nahi hai....

UNKNOWN ne kuch energy balls banakar ASMODEUS ke taraf phenke par sab bekar ho gaye.

ASMODEUS- in sab ka koi fayeda nahi hoga.aur abhi mere paas in choti moti cheezo par waqt nahi hai barbaad karne ke liye. ASMODEUS ek jhatke me UNKNOWN ke paas pahunch gaya aur uske sir par haath rakh kar mantra kaha

SAMMOHIT BHAVA.......Ek pili roshni ASMODEUS ke haath se nikal kar saamne waale ke andar chali gayi.ab saamne waala chup chap khada tha jaise usme jaan hi nahi hai.

ASMODEUS- ab tum mere gulam ho.jo mai kahunga tum karoge.

ASMODEUS ne us UNKNOWN vyakti ko kuch aadesh diye.

UNKNOWN- jo hukm mere maalik. Aur wo UNKNOWN gayab ho gaya,rah gaya ASMODEUS aur uski bhayanak hasi....ha ha ha ha ha ha ha ha.............









AAJ KE LIYE ITNA HI DOSTON.

AAPKA APNA V.J.......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM AUR USKE DOSTON KA LAST PAPER HAI. VIKRAM JAB SCHOOL JAANE KE LIYE KE LIYE BAAHAR AATA HAI TOH EK BABA KO DEKHKAR UNKE PAAS JAATA HAI. BABA VIKRAM SE MILKAR JAIRAJ AUR MINU SE MILTE HAIN AUR BATATE HAIN KI WO VIKRAM KO EK MAHINE KE LIYE LE JAANA CHAHTE HAIN, JAIRAJ AUR MONU IS BAAT KE LIYE MAAN JAATE HAIN....

AB AAGE....




CHAPTER- 1

( DEVIL'S ENCHANTMENT AND THE HOLY SPIRIT )


UPDATE- 14


MAI , RONIT AUR ANJALI car me baith kar school ke liye nikal gaye. RONIT aur ANJALI exam ke baare me baat kar rahe the, par mera dimag un BABA ke upar atka hua tha jinse mai abhi abhi mila tha. Pata nahi kyun, par unki awaaz mujhe kahin suni hui lagi par kahan suni hai ye yaad nahi aa raha tha.RONIT ke hilane se mujhe jaise hosh aaya...

RONIT- saale, kab se aawaz de raha hun, baaju me baitha hai fir bhi sunai nahi dera tujhe.kahan khoya hua hai??

ANJALI- haan vicky. Mai bhi dekh rahi hun, jabse hum ghar se nikle hain tum tabse hi kuch soch rahe ho.

MAI- arre kuch nahi yaar wo mai paper ke baare me soch raha tha.

RONIT- kya bola, tu paper ke baare me soch raha tha!!!!

Saale, session ke start me hi tera pura syllabus pura ho chuka tha, saale har saal ka tera yahi rehta hai, tere chakkar me mera baap mujhe har din pelta hai, ki VICKY ko dekho,uske jaisa bano.aur tu

MAI- bas kar mere baap.galti ho gayi jo paper ke baare me soch liya.ab toh paper likhte waqt bhi bina soche likh dunga.bas tu khaa mat. Mere aise bolne se dono main baat bhul hi gaye aur hum teeno gappe marne me lag gaye. Waise toh mai in dono se kabhi kuch nahi chupata tha, par ye baat batana mujhe sahi nahi laga.ab batata bhi kya, mujhe khud kahan kuch pata tha. Halki fulki nok jhok karte karte kab hum school pohonch gaye, pata hi nahi chala.

DRIVER- vicky baba, school aa gaya.

Driver uncle ki baat se hamara dhyan bahar ki taraf gaya.
Hum school compound ke andar the. Kyunki hamara board exam tha isiliye koi assembly nahi lagti thi. hum sidhe paper dene pahunche. Mera aur RONIT ka section ek hi tha, ANJALI ka dusri class me tha.hum usse all the best bolke apni class ki aur chal diye. Chalte chalte maine RONIT ki taraf dekha toh meri hasi chhut gayi.uska chehra aisa ho rakha tha jaise abhi heart attack aajayega.

RONIT- saale yahan meri fati padi hai aur tujhe hasi aa rahi hai.

Par mera hasna aur badh gaya.

RONIT- ab aur hasa na toh daant tod dunga, fir dekhta hun kaise aata hai first..

Maine badi mushkil se apni hasi ko control kiya..
MAI- acha baba sorry. Aur tention na le tera paper acha hi jayega.

RONIT- kaash aisa hi ho..

Aise hi baatein karte hue hamara class bhi aa gaya.

RONIT aur MAI jaakar apni apni seats par baith gaye...

Exam start hone ki bell baji aur hum saare students shuru ho gaye chaapna.maine ek baar RONIT ki taraf dekha jo aankhen band kar, haath jodkar upar waale ko yaad kar raha tha. Meri fir ek baar hasi chhut gayi.par fir yaad aaya ki mai kahan baitha hun.maine apna sir jhatka aur lag gaya paper solve karne.

Ye toh aap sabko pata hai ki mai padhne me acha hun ,par shuru se aisa nahi tha.mujhe school me padhaya yaad toh sab ho jaata tha par mai revise nahi karta tha jiske chalte mere results average hi aate the. Par mom ki ek baar daant padi aur maine revise karna shuru kiya aur result aisa aaya ki fir mai jo bhi karta usme kadi practice karta, aur issi tarah mai lagbhag aur cheez mai champion ban gaya.

Yahan exam hall me pure 3 ghanton ki chapai ke baad finally hamara exam khatm hue.mera paper toh maine 1.30 hrs me hi complete kar li thi par mai baitha raha.final bell baji aur ek zor ki hooting charo taraf se hui. Ye saare students the jo shor kar rahe the.ab apko toh pata hi hoga ko jab10th ka final exam khatm hota hai toh kaisa lagta hai.mai bhi bohot khush tha.mai class se bahar aaya toh RONIT khada tha wo bhi ekdum khush.

Mere bahar aate hi saala mere upar kud gaya.

MAI- abbe hat saale, mai waisa nahi hun.

RONIT- chup be.aur thanks yaar tume jo jo equations bataye the wohi aaye. Meri toh fatt rahi thi ki saala najane kya hoga par ab toh aaram se clear ho jaunga. YAHOOOOOOOOOO....

SAALA itni zor se chillaya ki sab hame hi dekhne lage.par bhaad me jaaye saale, apne ko kya lena dena kisise.mai aur ronit fir masti karte hue bahar cafeteria ki taraf aa gaye jahan ANJALI kuch ladkiyon ke saath khadi thi.hume dekhte hi unko bye bolkar ANJALI hamare paas aa gayi

ANJALI- kyun be rotlu.bada khush dikh raha hai..

RONIT- aaj jo bolna hai bolde, aaj sab maaf hai, aaj mai bohot khush hun.

ANJALI- hmmm..matlab paas hojayega.

RONIT- bilkul. Bhale hi kitni bhi hard checking ho.apun toh nikal jayega baba.

MAI- waah, ab bana tu pakka mumbaiya. Chal phir bidu, issich khushi me apun dono ko ek ek coldrink pila dal.

RONIT- ek kay bidu, 10 coldrink khalaas kar daal, pura bill apun dega...

ANJALI- ewww.ye kis language me baat kar rahe ho.mujhe nahi karni party tum logon ke saath.

RONIT- aisa kya.chal fir tu wantaas ki goli le...

ANJALI- kya bola?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

!!!!

MAI- arre kuch nahi meri maa. Chal naa canteen chal.

Fir hum teeno canteen ki aur badh gaye.

ANJALI- yaar ye canteen toh bhara pada hai.

Mai- ANJALI, RONIT tum dono seat ka jugad karo mai coldrinks lekar aata hun.

RONIT- AAYE AAYE CAPTAIN...

ANJALI- bas kar nautanki, aur chal, koi seat dekhte hain.

RONIT- haan tu sirf dekhna, mai baith jaunga.

MAI- mai bhi inki noutanki dekhna chhod haste hue coldrinks lene chala gaya.

Bheed bohot thi toh coldrinks lene me mujhe kuch waqt laga.jab mai wapas aaya toh dekha ki cafeteria khali pada hai.mujhe thoda shock laga .nazar ghumai toh dekha ki saare students ek jagah gher ke khade hain. Mai bhi udhar chal pada. Side se jagah banaate hue jab mai aage pahuncha toh jo nazara mere saamne aaya usse dekh kar mera dimag kharab ho gaya.mere jabde bhich gaye, aankhen laal hogayi.

ANJALI niche baithi hui thi wo bhi sir se bhigi hui aur RONIT niche gira hua tha, uske hont fat gaye the aur halka halka khun nikal raha tha. ANJALI ussi ke paas baithi ro rahi thi.dono ke piche 5 ladke khade the jo hans rahe the aur ek saamne khada tha jo apni ungliyon me chaabi ghuma raha tha.

1 LADKA- ab bol saale kya bol raha tha. Abbe CH*******YA...AAAAAHHHHHHHH aur chakkar khake wo ladka gir pada.uska sir fat gaya tha.

Mera sabr jawab de chuka tha, abhi aage wo kuch bolta usse pehle hi mera haath chala aur coldrink ki bottle uske sar par lagi aur wo zamin pe tha.

Mere haath me tuti hui coldrink padi hui thi.

Wahan jitne students khade the, dar gaye.

ANJALI ne jab mujhe dekha toh aakar mere gale lag gayi aur rone lagi.

Us ladke ke jo 5 dost khade the wo bhi thoda dar gaye the,par fir unme se ek bola,

LADKA 2- abbe pagal ho gaya hai kya. Saale tujhe toh mai......

CHATAAKKKHHH. Ek thapad aur banda zamin pe, Aur behosh. Abhi baaki ke bache 3 kuch samajh paate ki maine ek ko laath maari aur do ki gardan pakad li aur utha diya. RONIT aur ANJALI dono meri taakat dekhkar shocked ho gaye. Shocked toh khair wahan khade sabhi ho gaye the. RONIT jo abhi tak chup chap waise hi baitha tha, usme jaise josh bhar gaya...

RONIT- maar saale ko V.J maar. Kisi ko chhodna mat.

Jisse maine laath mari thi wo toh sidhe jaakar ek diwar se takraya.uski pasli chatak gayi.ab wo uthne ki haalat me nahi tha. Wahin jin do ko maine uthaya tha unhe saans lene me bhi problem ho rahi thi. Maine dono ko table par patak diya, dono ki haalat kharab ho gayi.phir bhi maine ek ko uthaya aur ek thappad lagaya.ye mere power se bohot kam force ka thappad tha, zor se maarta so saala nipat hi jaata..

MAI- saale, teri itni himmat ki mere dost par haath uthaye.haan beta, aaj chalkar toh tu ghar nahi jaayega. Bata saale kyun maara tha mere dost ko.

RONIT- mai batata hun. Yaar hum log idhar table dhundne aaye toh in logon ne ANJALI ko dekh kar uspe ganda comment kiya.saala mera dimag ghum gaya.diya ek ke kaan ke niche.par ye zyada the isiliye saalon ne pakad liya aur peet diya mujhe.

MAI- ANJALI, tum bhigi kaise!!

ANJALI- inme se ek ne RONIT ko thappad mara .mai jab usko maarne gayi toh mera haath pakad ke mere upar paani daal diya.

Mera dimag aur ghum gaya.

MAI- kyun be ladki pe paani dalega tu. Rook saale, aaj tujhe duba duba ke dhounga.us ladke ki toh waise hi fati padi thi. Maine jab usse jhinjoda yoh saala aur dar gaya.

LADKA 3- bhai maine paani nahi daala.

MAI,- saale jhut bolta hai.

ANJALI- nahi VICKY ye nahi tha, na hi inme se koi. Pata nahi kahan gaya.

HUM YAHAN HAIN....


Awaaz sunke hum palte do dekha ek ladka kamar me haath rakh hame ghoor raha hai. Uske saath kuch 7,8 ladke aur bhi the.matlab yahi tha un ka leader.Bande ki personality lagbhag meri jaise hi thi bas hight me thoda bada tha mujhse.

LEADER- mai ek call attend karne bahar kya gaya, yahan toh kaand ho gaya.

Us ladke ko dekhkar jis ladke ko maine pakda hua tha, usme josh aa gaya.

LADKA 3- haan bhai, ye saala bohot uchak raha hai...apne saare ladko ko isne peet diya.

Maine us ladke ko uthaya aur ussi leader ke taraf fek diya.wo udta hua gaya aur us leader ke pair me gira.

Us leader ne kuch ishara kiya toh uske piche ke saare bande mere upar jhapte. Par sirf 1 minute me hi saare zamin par the. RONIT aur ANJALI toh mera ye roop pehli baar dekh rahe the. Unke liye toh jaise wo kisi aur ko hi dekh rahe the. Yahi haal baaki students ka bhi tha. Ab school me meri image ek simple se ladke ki thi, toh jhatka toh banta hi hai naa.

Thoda shocked toh unka leader bhi tha par phir uske chehre par ek muskaan aa gayi.wo chalte hue mere saamne aaya aur khada ho gaya.hum dono hi ek dusre ko ghoor rahe the.achanak usne mujhe dhakka diya.ye usne bohot tezi se kiya tha. Mujhe chhod kisi aur ko toh uska haath dikha tak nahi. Mai bhi ladkhada kar thoda piche hat gaya par gira nahi. Mujhe naa girte dekh wo thoda zyada shocked ho gaya. Shocked toh mai bhi tha kyunki mujhe piche dhakka de dena aasan nahi tha. Par uski is harkat se mera dimag kharab hone laga. Mai uske paas gaya aur uski hi speed se maine usse dhaka de diya.wo bhi thoda ladkhada kar peeche ho gaya. Hum dono ek dusre ko ghur rahe the. Maine apni muthi bhichi aur puri takat se ghuma di. Ussi waqt usne bhi waisa hi kiya. Ham dono ke mukke takraye. Dekhne waalon ko toh pata nahi chala par mukko ke takrate hi mujhe mere andar ek current doudta hua sa laga. Mai chitak kar door gir gaya. Mera haath bohot dard kar raha tha, maine saamne dekha toh us leader ki bhi same haalat thi.haath pakde gira hua tha aur aankhen hairat se dubi hui thi..... usne apne chamcho ko ishara kiya, woh sabhi ek saath mujhpe toot pade, par ab tak mai sambhal chuka tha. Maine bhi unki dhulai shuru kar di par sabko dheere se hi mara nahi toh saala koi tapak jaata toh ek alag lafda ho jaata. Abhi tak jo bhi hua tha wahan khade sabhi ne dekha tha aur sabhi stabdh khade the.mere dono dost bhi.unke liye toh mai mai naa hokar koi aur hi ban chuka tha. Abhi mai un sab ladko ko peet hi raha tha ki wahin par khade kisike haath par ek adrishya aag ka gola dikhne laga jisse usne meri taraf fek diya. Ye karnama aur kisi ne nahi ussi leader ne kiya tha. Wo aag ka gola tezi se meri aur lapka par mujh tak pahunchte hi uska asar khatm ho gaya. Wo leader is baar kuch zyada hi shocked ho gaya. Idhar maine bhi sab ko dho daala tha.kisi ka haath tuta tha kisi ka pair, koi ulta pada tha. Maine idhar udhar nazar ghumai toh unka leader mujhe kuch door pe khada dikha. Mai uske paas jaane hi waala tha ki ek admi aaya.ye wahi invigilator the jo aaj humare paper ke time hamari claas me the.

SIR- ye kya ho raha hai yahan. ye cafeteria kisne tod diya.
Aur in ladkon ki ye haalat kisne ki.

Sabhi ne meri taraf ishara kar diya.

SIR- tum apne aap ko samajhte kya ho? Gundagardi karne aate ho school ki padhne!

RONIT- ek minute sir. Bina asli baat jaane aap kaise kuch bol sakte hain.aur tum log,inhone pucha aur tumne ungli dikha di.puri baat kaun batayega.haan.

SIR- mai tumse baat nahi kar raha hun.ek toh yahan tod fod kar di isne aur upar se tum behes kar rahe ho.

ANJALI bhi ab bhadak gayi thi.ye dono aise hi the. Agar koi mujhse kuch keh de toh ye uspe chhad jaate the.

ANJALI- aap bol hi kyun rahe hain sir. Aur ek baat bataiye aap hamare school ke teacher hain kya.aapko is cafeteria se kya lena dena.aur uske upar bina kuch jaane suna rahe hain.fir ANJALI ne kya kya hua tha wo sab bata diya.ab tak hamare principal sir bhi aa chuke the, aur saari baatein bhi sun li thi.pricipal sir mujhse bohot pyar karte the.kare bhi kyun naa itni trophies jo jeetwai hain school ko maine...

PRINCIPAL- VIJAY SIR (INVIGILATOR) jisse aap gunda keh rahe hai,uska naam hai VIKRAM JAIRAJ SINGH...
kuch yaad aaya....!!!!

VIJAY SIR mera naam sun kar shocked ho gaye.

PRINCIPAL- ji haan aap sahi samjhe.he is the brightest student in the history of our school . jiska example aapke school ke principal bhi aapke students ko diya karte hain.jisse aap mujhe milwane ke kiye keh rahe the.he is the one.....

VIJAY SIR- sorry sir, i misjudged the whole situation. VIKRAM I'm really sorry 4 my behaviour.

MAI- no sir. Please dont say that. It doesn't matter if u teach in our school or not. A teacher is a teacher, doesn't matter what the cirLove waterstances are. Hamari galti ho ya naa ho, aapko hume daantne ka hak hai. ANJALI, thats not d way to talk to a teacher.say sorry.

ANJALI- I'm really sorry sir. Mujhe aapse aise baat nahi karni chahiye thi.....

VIJAY SIR- no,no its ok. Waise bhi jo inhone tumhare saath kiya, toh punishment toh inhe milni hi chahiye thi.

PRINCIPAL- haan par ye tarika sahi nahi tha. VIKRAM tumse aisi ummid nahi thi.tum mujhse aakar complaint bhi kar sakte the.

VIKRAM- sorry sir. Par mai kya karta, yahan situation hi aisi ho gayi thi. ANJALI ke upar paani daala gaya tha, RONIT ko thappad maara gaya tha, mujhse raha nahi gaya.

PRINCIPAL- samajh sakta hun VIKRAM. Par ek baat hamesha yaad rakhna, ANGER IS THE DIRECT WAY TO SELF DESTRUCTION. Koi bhi faisla thande dimag se karna chahiye.

Wo leader abhi bhi wahin khada tha aur chupchap sab sun raha tha, par uski aankhen mere upar par tiki thi jinme mere liye ajeeb se bhaav the.

PRINCIPAL- arre ek min, ye sab students toh is school ke nahi hain.ye yahan kar kya rahe hain. Chandu call police immediately.

USKI KOI ZAROORAT NAHI HAI SIR.....

ye awaaz thi ussi leader ki....jo chalte hue hamari taraf hi aa raha tha.

RONIT- sir yahi hai inka leader.issine sab start kiya tha.

PRINCIPAL- who the hell are you? Tumhe is school ke andar kisne aane diya. Aur hamare school me aakar hamare students se hi fight karte ho.

LEADER- sirji.... bohot suna tha aapke school ke hariyali ke baare me, toh aa gaye. Aur kaise aa gaye mat sochiye, kyunki DIGVIJAY SINGH BAGGA ko koi nahi rok sakta.

Mujhe ghussa toh bohot aaya par sir ki wajah se chup khada raha.

PRINCIPAL- ye kis tone me baat kar rahe ho tum. Manners kaha hain tumhare. Now i have to call the cops.

DIGVIJAY- usse koi faayeda nahi hoga sir. Aap mere dad ko nahi jaante. BALBEER SINGH BAGGA. naam toh suna hi hoga. yahan ke MP hain wo. Police hamara kuch bigad nahi sakti. chaliye, ab chalta hun. Aap chaahen toh police ko mera aur mere dad ka naam bata dijiyega. Dekhte hain kya hota hai. Fir wo meri taraf muda,

Toh VIKRAM haan, chal aaj toh tu bach gaya, par ye hamari aakhri mulakat nahi hai.hum fir milenge.intazar karna.

MAI- intazaar rahega.
mai sir ki wajah se zyada toh nahi bol sakta tha.
Wo nikal gaya...

PRINCIPAL- VIKRAM beta. Ho sake toh apne dad se ye incident share mat karna warna wo action lenge.isse hamare school ki badnami hogi.

MAI- dont worry sir, mai dad se kuch nahi kahunga.

VIJAY SIR- i must say VIKRAM, you have a golden heart. Bas apni saadgi kabhi mat khona.yahi tumhe baakiyon se alag banati hai.

MAI- sure sir,I'll keep that in mind.

PRINCIPAL- ok than lads.we have to go. Saal bhar padhai ki hai aap logon ne now enjoy your vacations.

Hum teeno ek saath - we will sir.

Fir hum teeno bahar ki taraf nikal gaye, par RONIT abhi bhi ghusse me tha..

MAI- ab tujhe kya hua.

RONIT- chup be. Kya zaroorat thi bolne ki ki uncle ko nahi batayega. Us saale DIGVIJAY ko bada ghamand hai apne baap pe, ek baar uncle ko pata chalega na toh saale ki post hi nahi rahegi.

MAI- oye, uske dad ke baare me toh kamsekam tamiz se bol.bade hain humse aur ek designated position me bhi hain.aur rahi baat dad ko na batane ki toh wo mai waise bhi nahi karta.chhod naa yaar baat badhaake kya fayda.ab apna mood thik kar. Chal tum dono ko ek good news deta hun.

RONIT- nahi sunani teri koi news

MAI- acha ANJALI isse chhod,tu sun. Dad bol rahe the ki hum koi jagah final karen vacation me jaane ke liye.

ANJALI- sachhhhhhhh.

RONIT- kya baat bol di bhai tune maza aagaya.

MAI- abbe tujhe toh interest nahi tha naa.

RONIT- arre bhai tu jo janta hai mai kitna joki hun.

MAI- nahi mai bas ye jaanta hun ki tu kitna bada gadha hai.

Ab tak hum bahar aa gaye the jahan hamari car khadi thi

RONIT- saale ruk tujhe batata hun.mai bhag kar car me baith gaya aur mere piche piche dono bhi aa gaye.
Fir aise hi masti karte karte aur vacations me kahan jaana hai iska plan banate banate hum ghar ki taraf nikal pade.
Ab mujhe kya pata tha ki idhar mom dad ne mere liya kuch aur hi surprise ready rakha hai jisse meri zindagi hi badal jateyegi......



DUSRI TARAF......MONSLICKEL PLANET.



ASMODEUS- BEELZEBUB......

Ek dhuan hua aur apna sir jhukay ek devil ASMODEUS ke saamne khada tha. (BEELZEBUB, ASMODEUS ka sabse khatarnak devil.iske andar har tarah ke black magic ki taaqat hai.aur saath saath iski speed light ki speed se bhi zyada hai. Iske zyadatar spells jaan leva hote hain...)


BEELZEBUB- HI HAIL DEVIL'S KING.

ASMODEUS- mai kuch waqt ke liye dhyaan lagane ke liye CROSS WORLD jaa raha hun. Jab tak mai nahi louthta sab kuch tumhare aadesh par chalega.

BEELZEBUB- aapne mujhe is laayak samjha, mere liye yahi bohot hai.

BEELZEBUB ko aadesh dekar ASMODEUS gayab ho gaya.

DUSRI TARAF.........THE WORLD OF WARRIORS ME...


Lord crusedar apne singhasan par baithe the.ab is pure PLANET ka bas ek hi raja tha aur wo the LORD CRUSEDAR .is waqt LORD CRUSEDAR apne senapati se kuch baat kar rahe the ki achanak unke darbaar ke beech me ek WORLD DOOR khula aur koi bahar aaya jisse dekh kar sabhi chownk gaye....

LORD CRUSEDAR- AAAAPPPPPPP!!!!!!!!!!!!
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM KAISE DIGVIJAY KE SAARE CHAMCHO KI PITAI KARTA HAI PAR DIGVIJAY SE USKI TAKKAR BARABAR KI HOTI HAI. DIGVIJAY VIKRAM KE UPAR EK ADRISHYA AAG KA GOLA FEKTA HAI JO VIKRAM TAK PAHUNCHNE SE PEHLE HI NASHT HO JAATA HAI...LORD CRUSEDAR KE DARBAAR ME ACHANAK KOI AATA HAI JISSE DEKH KAR HAR KOI CHOWNK JAATA HAI. AB AAGE.......




CHAPTER- 1



( DEVIL'S ENCHANTMENT AND THE HOLY SPIRIT )



UPDATE- 15


LORD CRUSEDAR- AAP !!!!!!! Pehle toh saamne waale ko dekh LORD CRUSEDAR ek jhatke me khade ho gaye par fir apne ghutno par baith jhuk gaye.

Sirf woh hi nahi darbaar me moujud har saksh apne ghutno par jhuk gaya.jhukte kyun nahi aaj najane kitne arse ke baad unke saamne unke grah ka DEFENDER jo khada tha.


DEFENDER- uth jaiye LORD CRUSEDAR.

LORD CRUSEDAR khade ho gaye aur unhi ke saath baki ke darbaari bhi.

LORD CRUSEDAR- DEFENDER, aap hume chhod kar kahan chale gaye the. Aap nahi jaante aapke jaane ke baad yahan hamare saath kya kya hua. Mere pure parivar ko ASMODEUS ne marwa diya.is pure planet pe kabza kar liya tha usne. Ye bolte bolte LORD CRUSEDAR ki aankhon me aansu aa gaye.


DEFENDER- mai sab jaanta hun LORD CRUSEDAR.par mai bhi majboor tha. Mujhe aadesh mile the ki mai yahan se door chala jaun, warna ye planet hi nasht ho jayega. Jaanta hun aap sab logon ne bohot taklifen jheli hain, par yakin maniye agar mai yahan rehta toh jo aaj bacha hai wo bhi nahi rehta.

LORD CRUSEDAR- agar aap keh reh hain toh thik hi hoga. Waise bhi jo ho chuka hai usse badla toh nahi jaa sakta.bas apne bhavishya ko hi sawara jaa sakta hai.maine toh apna sab kuch kho diya bas ye grah hi bacha hai,aur mai raja hun toh apne kartavya se mooh bhi nahi mod sakta.par DEFENDER ab toh mere paas THE LOCKET OF POWER bhi nahi hai,ASMODEUS usse le gaya, ab hum pehle ko tarah takatwar nahi rahe. Aap hame ek aur LOCKET de dijiye.

DEFENDER- mai jaanta hun LORD CRUSEDAR ki ASMODEUS THE LOCKET OF POWER le gaya. Par mai aapko abhi aisi koi power nahi de sakta.

LORD CRUSEDAR- par kyun DEFENDER.pehle bhi toh aapne hi diya tha.

DEFENDER- haan diya tha, par aap bhul rahe hain ki har DEFENDER ki taakat uske grah ki taakat se judi hoti hai.
Aur abhi hamara grah kamzor hai,isilye mai kamzor hun.
Aise me koi bhi power mai apko ya kisi ko kaise de sakta hun....

LORD CRUSEDAR- fir hum kaise pehle jaise takatwar banenge DEFENDER...
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

??

DEFENDER- LORD CRUSEDAR, mai dekh raha hun ki ASMODEUS ne sirf aapke logon ko hi nahi maara, balki apke aatmvishwas ko bhi maar diya hai. Kya LOCKET OF POWER aapke paas shuru se tha!!! Nahi naa, wo LOCKET toh aapki bahaduri aur doordrishti se prabhavit hokar maine aapko diya tha.aapko shaktishali hone ki zaroorat nahi hai,aap pehle se hi shaktishali hain, bas apni takat ko apne andar se bahar nikalna hai. Ab aap is pure grah ke akele raja hai, toh aap ki soch ko,apki talwar ki dhaar ko pehle se 100 guna zyada tez hona hoga.ye mat bhuliye ki aaj bhi aap is bramhand ke sabse takatwar PLANETs me se ek hain.

DEFENDER ki baat sunkar LORD CRUSEDAR aur waha moujud sabhi me josh aa gaya.

LORD CRUSEDAR- DEFENDER, aapki baaton ne hamare andar soye takat ko aaj phir jaga diya hai.hum apne aap ko pehle ki tarah shaktishali bana kar hi rahenge.par agar ASMODEUS ne phir humla kar diya toh....!!!!!kya aap fir hume chhod kar chale jayenge.... ASMODEUS ke fir se humle ki baat sunkar sabhi ke manobal phir se tutne lage.wo sab jaante the, ki woh kisi bhi grah tak ko hara sakte hain par ASMODEUS ke saamne wo ek pal bhi nahi tikenge.

DEFENDER- nahi aisa nahi hoga. ASMODEUS ab dobara kabhi humpe hamla nahi karega.usse aapse jo chahiye tha wo mil chuka hai.par iska ye matlab nahi ki ab koi khatra nahi hai. Is bramhaand me aise kai jeev hai, log hain jo hamare planet par aana chahenge,kyunki hamare planet me aaj bhi bohot se shakti shroth moujud hain jo wo paana chahenge. Isiliye aaj se kisi bhi grah ke logon ka aana hamare grah pe varjit hoga.

LORD CRUSEDAR- par DEFENDER, ISLA grah toh hamara mitr hai.ussi grah ki rajkumari ALESANDRA ne hame azaad karwaya hai.

DEFENDER- aap ye bhool rahe hai LORD CRUSEDAR ki ALESANDRA koun hai!!! ASMODEUS ka pyar. Aur koi bhi cheez jo ASMODEUS ke karib ho usse door rehna hi hamare liye uchit hoga.

SENAPATI- LORD CRUSEDAR, DEFENDER sahi keh rahe hai. Maana ALESANDRA ne hame aazad karwaya hai par hain toh wo ASMODEUS ki karibi hi. Hume unse door rahna chahiye.....

SABHI DARBAARI- haan hum bhi DEFENDER se sehmat hain.

LORD CRUSEDAR- thik hai. Jaisa apko uchit lage DEFENDER.......

DEFENDER ne apne haath failaye, aur kaha

SAMPURNA SURAKSHA KAWACH PRAKATAM.........


DEFENDER ke dono haathon se nili roshniyan nikli jo har taraf failne lagin.aur kuch der baad gayab ho gayin.

DEFENDER- ab hamara grah surakshit hai.ab koi WORLD DOOR ke dwara bhi hamare planet me pravesh nahi kar paayega. LORD CRUSEDAR, aap mantrigan aur senapati ke saath milkar isse pehle ki tarah sashakt banane ki yojnayen banaye. Aapko kabhi bhi meri aawashyakta mehsoos ho toh mere naam ka dhyan kijiyega, mai aa jaunga.

LORD CRUSEDAR- jo aangya DEFENDER..

Fir DEFENDER gayab ho gaye. LORD CRUSEDAR senapati ke saath fir vichar vimarsh me busy ho gaye.


BACK TO HERO:-


Hum teeno meri car me baith ghar ki aur nikal pade.

MAI- abbe ek baat bata. Ladhai ke waqt tune mujhe kya kehkar bulaya tha!! Haan, V.J... ye naamkaran mera kab hua.

ANJALI- haan, maine bhi suna tha,par us waqt situation aisi thi ki mere dimag se nikal gaya.

RONIT- arre yaar ye naam toh mere dimag me kab se tha tere liye. Hamesha sochta tha batunga tum dono ko, par bhul jaata tha. Acha batao kaisa laga naam , V.J. cool hai naa.

Abhi mai kuch kehta ki mujhse pehle ANJALI bol padi..

ANJALI- haan bohot acha hai.claasy bhi lagta hai. Toh fir done, aaj se hum dono tujhe issi naam se pukarenge...

Ab mai kya kehta. Faisla toh dono maharathiyon ne kar hi liya tha.mai bas sir hila ke rah gaya. Baton baton me kab ghar aa gaya pata hi nahi chala.mai car se utara hi tha ki

RONIT- abbe sun. Hamne jahan vacations me jaane ka decide kiya hai uncle aunty ko abhi mat batana. Hum dono shaam ko aayenge fir mil kar batayenge.

MAI - chalo thik hai fir.shaam ko wait karunga. Chalo bye.

RONIT aur ANJALI nikal gaye. Mai bhi andar ki taraf chal pada. Andar aaya toh dekha dad aur mom dono sofe par baithkar kuch baat kar rahe the.

MAI-- hi dad, hi mom. Whats up dad! Aaj aap office nahi gaye.

DAD- aa gaya mera sher. Haan beta aaj zyada kuch kaam nahi tha toh rook gaya.

MAI- dad aap naa beech beech me aise hi off le liya karo. Mom yahan akeli reh jaati hai.

Meri is baat pe dad has diye wahi mom ne mera maatha chum liya.

MOM- dekha ji, mere bete ko meri kitni fikr hai....

DAD- hmm, dekh raha hun hamara beta waqt se pehle hi mature ho gaya hai. Ab toh lagta hai mujhe retirement le leni chahiye. beta tumhare papers bhi khatm ho gaye hain.tum kal se office aana shuru kardo, toh mujhe bhi chutti mile.

MOM- bade aaye retirement waale.abhi mere bache ne thik se duniya bhi nahi dekhi aur aap isse kaam pe lagana chahte ho.mera bacha kahin nahi jayega.aap bhagiye office..

DAD- arre yaar mai toh mazak kar raha tha.ye chahega toh bhi mai isse office aane nahi dunga.abhi toh isse apni aur meri dono ki zindagi jeeni hai.

MAI- i love you dad... i love u mom..

MOM/DAD- we love you 2 son...

DAD- acha beta aapse kuch baat karni thi. Aap fresh ho jao fir lunch ke baad baat karte hain...

MAI- ok dad. Fir mai apne room gaya, fresh hokar niche aaya. Humne lunch kiya fir mai mom aur dad wahin hall pe sofe par baith gaye...

DAD- beta wo jo maine tumhe vacations me ghoomne jaane ke liye kaha tha naa,

MAI- dad, uske baare me shaam ko batata hun naa. Wo actually RONIT aur ANJALI dono shaam ko aayenge fir hum teeno milkar aapko batayenge.


DAD- beta puri baat to sunlo. Baat ye hai ki abhi filhal tum vacations ke liye nahi jaa sakte.

Mai thoda chownka kyunki first time tha jab hamare vacations ka plan cancel ho raha tha.

MAI- kya hua dad. Any problem!!!


MOM- beta actually tumhe 1 mahine ke liye kahin jaana hai.

MAI- ek mahine me liye, kahan??

DAD- beta aaj tumhare school jaane ke baad ghar par hamare guruji aaye the.

MAI- haan dad, maine unse mila tha. Wo gate ke baahar hi khade the.maine hi unhe andar aap se milne bheja tha.par pehle kabhi maine unhe dekha nahi. Aap dono unhe kaise jaante hain.

MOM- beta hum unse pehli baar tumhare naamkaran ke din mile the. Unhone hi tumhara naam rakha tha. Jab hamne unhe dakhshina dene ki baat ki thi toh unhone kaha tha ki wo sahi waqt par maang lenge.us din ke baad wo sidhe aaj aaye hain aur apni dakhshina mangi jisme wo tumhe ek mahine ke liye apne saath le jaana chahte hain.

MAI- hmm.strange.kahan le jaana chahte hain wo mujhe mom.

MOM- wo tumhe kuch sikhana chahte hain.kya, ye unhone hame nahi bataya.

MAI- thik hai mom, dad. Mai chala jaunga.

Mera ye chota aur sidha sa jawab sunkar mom dad shocked ho gaye....!!!!!!

DAD- beta, tumne ek bhi sawaal nahi kiya ki wo tumhe kya sikhana chahte hain, kahan lekar jayenge.tumhe kitne din rukna padega.kya tumhare man me koi sawal nahi hai!!!

MAI- sach kahun DAD toh haan, sawal toh bohot hai. Par usse pehle, baat apki aur mom ki commitment ki hai jo aapne guruji se kiya hai. Aur aap dono koi wada karo aur wo pura na ho aisa mai kaise hone de sakta hun. Aur waise bhi aap mera nuksaan thodi naa chahoge.isme bhi mera hi faida hoga.

MOM/DAD meri baaton se kaafi emotional ho gaye aur mujhe gale laga liya.

DAD- ab mai nishchint hun.pata hai beta, aaj tum jo itni suljhi hui baatein kar rahe ho, tum aise hi rahoge iske baare me guruji ne tumhare naam karan me hi bata diya tha. Aaj tak unki batayi baat kabhi galat nahi hui. Ye tumhare liye kisi blessings se kam nahi hai ki wo khud tumhe kuch sikhana chahte hain. Jo bhi wo kahen, tum pure dil se karna. Dekhna jab tum loutoge, toh tumhare andar gyan ka bhandar hoga.

MAI- jee DAD. Mai apni taraf se puri koshish karunga.....ab mai bhi kafi excited tha guruji se sikhne ke liye,kyuki DAD kabhi kisiki itni aasani se taarif nahi karte the. Kisiki chhodo mai apne school ka topper hun, sports me bhi aage hun par aaj tak meri tak taarif nahi ki thi unhone..dad ka manana tha ki taarif se ghamand paida hota hai jo talent ko khatm kar deta hai.

MOM- beta ek baat aur, tum kahan aur kiske saath jaa rahe ho ye RONIT aur ANJALI ko nahi bata sakte.

Ab ye sunte hi meri phati kyunki dono hi mere liye bohot possesive hain.

MAI- par mom, unhe bina bataye mai kaise jaa sakta hun.wo dono mujhe jaane hi nahi denge.

MOM- bata diya toh bhi kaun sa akele jaane denge. Par jo siksha lene tum jaa rahe ho, wo nahi le sakte. Guruji ne sirf tumhe unke saath chalne ko bola hai.

MAI- par mom, ye baat unko kaun samjhayega!!!

DAD- ek kaam karo, unhe call karke bula lo. Mai baat kar lunga.

MAI- haan ye thik rahega. Fir maine dono ko call karke bula liya. Thodi der me hi dono pohonch gaye.

RONIT- yaar itni jaldi me kyun bula liya, hum toh waise bhi shaam ko aane waale the naa. Abhi wo kuch aur bolta usse pehle hi uski nazar sofe par baithe mom dad par padi.wo chup ho gaya.

ANJALI- hi aunty, hi uncle.

RONIT- hello uncle, hello aunty...

MOM/DAD- hello bachon. Idhar aao tum dono se kuch baat karni hai.

Ronit aur ANJALI jaakar sofe par baith gaye.

Dad- beta mujhe pata hai tum log vacations me ghumne jaane ke liye bohot excited ho. Par ek problem ho gayi hai. VICKY ko kahin jaana pad raha hai par akele.

Dono hi ye sunke shocked ho gaye, hote bhi kyun naa, ye first time tha jab mai unhe chhod kar akele kahin jaane waala tha.

ANJALI- kya hua uncle , anything serious....!!!!!

DAD- haan beta, VICKY toh tumse kuch chupata nahi.tumhe toh pata hi hoga ki tumhari aunty aur unke relatives me koi baatchit nahi hai.par tumhari aunty ki ek rishtedaar hai, jo VICKY se milna chaahti hai.mai tum dono ko bhi saath bhej deta par unhone VICKY ko akele hi bulaya hai.yahan tak ki hume bhi nahi.

ANJALI- its ok aunty. VICKY chala jaayega. Hum fir kabhi saath chale jayenge

RONIT bilkul chup baitha tha.mujhe pata tha usse ye sab acha nahi lag raha hai,kamina dost kam bhai zyada tha.par kar bhi kya sakte hain.iske baad kuch khaas nahi hua, dono hume bye bolkar nikal gaye, maine RONIT se baat karne ki koshish ki par saala pakode jaisi shakl bana kar chupchap nikal gaya. Saale ko shaam ko bhi call kiya batane ke liye ki mai parso nikal raha hun toh kyun naa kal party sharty ki jaaye par tha toh akal ka paidal hi, bolta hai ki jab wapas aaunga tab karenge party aur patak diya phone.
Ab mai bhi kya karta, do, teen, shudh sahityik bhasha me gaali di aur mooh latka kar apne room aa gaya. Fir agle din kuch khass nahi hua. ANJALI saara din mere saath hi rahi par wo dusra namuna gayab hi raha aur naa hi hum dono ka call uthaya.

ANJALI- tu toh jaanta hai naa usse. Bina soche samjhe hi
Faisle le leta hai.tu tention na le, ek do din me thik ho jaayega.

Maine bhi mundi hiladi, aur kar bhi kya sakta tha.

Raat me diner karke ANJALI bhi chali gayi, mai bhi room me aa gaya,aur aise hi ye din bhi nikal gaya.

Ab aaya wo din jis din se meri zindagi badalne waali thi. Mai subah utha,apna morning routine complete kiya, saala jab se mera jaana tay hua hai ye RONIT garden bhi nahi aaya. Khair mai ghar aaya fresh hokar nashte ki table par baith gaya.

DAD- toh young boy, all set.

MAI- yup dad.

MOM- nervous!!!

MAI- a bit.

DAD- you don't have too. Isse ek adventure ki tarah lo.aur waise bhi tumhe toh nayi nayi cheezen sikhna pasand hai naa.trust me its gone be a lifetime experience 4 u.

MAI- ya, i hope so.

Abhi hum baat hi kar rahe the ki guru VISHAKHT andar aaye. Hum teeno hi unhe dekhkar khade ho gaye.mom dad aur phir maine baari baari unke pair chue.

BABA VISHAKHT- toh vikram.aap taiyar hain

Pata nahi kyun par jab bhi mai BABA VISHAKHT ki awaaz sunta hun, lagta hai jaise BHAGWAN unke andar se mujhse baat kar rahe hain.

MAI- jee guruji. Mai taiyar hun

BABA VISHAKHT- toh chalo fir.vilamb karma uchit nahi. JAIRAJ, MINU mai aap dono ke dil ki vyatha (haal) samajhta hun, par VIKRAM ka mere saath jaana awashyak hai.issime iska kalyan hai. Aap nishchint ho jaayen.

DAD- jab tak aap hamare bete ke saath hain hume koi chinta nahi. VICKY, GURUDEV jaisa kahen waisa karna. Tum nahi jaante ki tum kitne lucky ho.

MAI- I'll dad.i promise.fir maine baari baari se mom dad ke pair chue.

DAD- mai driver ko bol deta hun, aap jahan jaana chahte hain, wahan wo chhod dega.

BABA VISHAKHT- uski awashyakta nahi hai JAIRAJ.hum nahi chahte koi bhi hamare saath ho.aur ab tum jo apne putr ko kharch ke liye paisa dena chahte ho, wo mat do.vikram ko dhan ko awashyakta nahi padegi.

DAD shocked ho gaye kyunki wo abhi mujhe paise hi dene waale the.

DAD- par guruji

BABA VISHAKHT- aap nishchint rahiye JAIRAJ, hum aapke putra ka ache se khayal rakhenge. Ab hum chalte hain.chalo VIKRAM

Maine apna bag latkaya jisme mere kapde wagaira the, mom dad se ek baar gale mila aur guruji ke peeche peeche nikal gaya.

MOM ki aankhon me aansu the,pehli baar mujhse alag jo ho rahe the, DAD bhi sad the par mom ko samjha kar ghar andar le gaye idhar mai guruji ke piche piche ho liya.ghar se baahar nikal kar guruji ne apne kamandal se paani nikala aankh band ki,kuch bola aur mere ghar ki taraf wo paani fek diya...ab ye kya tha, socha guruji se puchu, par fir socha guruji kuch aisa bolenge jo mere sir ke upar se jaayega isiliye ye puchne ka idea drop kar mai guruji ke peeche peeche chal diya.

DEKHTE HAIN, YE SAFAR VIKRAM KO KAHAN LE JAATA HAI....


Wahin dusri taraf


DIGVIJAY apne ghar pahuncha jahan hall me hi uske dad apne kuch logon ke saath baithe the.

SMALL INTRO

BALBEER SINGH BAGGA- MP....... ye ek number ka harami aadmi hai. Drugs, escort services, diamond smuggling, human trafficking jaisa najaane kitne hi galat dhandho me involved hai.iski ek aur identity hai jo filhal ek SECRET HAI jo sirf iske bete ko pata hai...

PREET BAGGA- BALBEERS WIFE. ye apne husband se bilkul ulti hain.ek shant swabhav ki aurat jo bhagwan me badi aashta rakhti hai.

DIGVIJAY SINGH BAGGA- ye apne baap ki xerox copy hai.iske supernatural hone ka kaaran iska baap hi hai,par kaise, ye baad pe pata chalega..

BACK TO THE STORY:-


DIGVIJAY- dad, mujhe aapse kuch baat karni hai.

BALBEER- abhi nahi beta, dekh nahi rahe ho abhi thoda usy hun...

DIGVIJAY- meeting over. Aap sab bahar jaiye turant, mujhe dad se kuch important discussion karna hai....

Wahan baithe sabhi BALBEER ki taraf dekhe, jisne unhe jaane ka ishara kiya.sabhi chupchap nikal gaye...

BALBEER- dekh raha hun aaj kal tum kuch zyada hi battamiz hote jaa rahe ho.ye mat bhulo ki mai kaun hun.tumhari saari akad ek min me nikal dunga.....samjhe....

Apne dad ki kadak awaz sunkar ek pal ke liye DIGVIJAY dar gaya par fir sambhal kar bola.....

DIGVIJAY- I'm sorry dad, par mai kya karta.baat hi itni important hai ki mai rook nahi sakta,jisse jaankar aap bhi pareshan ho jayenge....

BALBEER- acha.chalo batao kya baat hai.fir DIGVIJAY ne BALBEER ko college me jo hua sab bata diya,jisse sunkar BALBEER ko yakin hi nahi hua. BALBEER ne DIGVIJAY ke sir ke upar haath rakh kar mantra bola, "DRISHYA PRAKASHNAM" aur balbeer ke aankhon ke saamne college me jo hua sab kuch dikhne laga,jisse dekhkar BALBEER shocked ho gaya aur thoda pareshan bhi...

BALBEER- ye kaise ho sakta hai.aisi koi shakti hamare aas paas hai aur hume pata bhi nahi chala. Kya naam hai us ladka ka???

DIGVIJAY- VIKRAM JAIRAJ SINGH....

Ye naam sunkar BALBEER firse chownk gaya,kyunki wo JAIRAJ ko bohot ache se jaanta tha. Usne bohot baar JAIRAJ ko apne saath milane ki koshish ki thi par hamesha nakamiyab raha tha. Wo sidhe tour par JAIRAJ se panga nahi le sakta tha kyunki JAIRAJ ka link c.m ke saath tha. Aur apni shakti ka istemal wo aisi baaton me karna nahi chahta tha.

BALBEER- hmm. Maine socha tha is JAIRAJ pe apni shakti ka upyog nahi karunga par lagta hai karna padega.par pehle pata toh lagaun iske ghar me chal kya raha hai,aur iske bete ke paas shaktiyan kahan se aayin.

BALBEER ne apni aankhen band ki aur mantra bola

SHATRU SHAKTIYEM KHOJ AARAMBHATE...

BALBEER ke haathon se kaali rays nikli aur tezi se JAIRAJ ke ghar ki taraf chal di.par JAIRAJ ke ghar ke sima par pahunchte hi wo rays gayab ho gayin.ye sab hamare BABA VISHAKHT ne kiya tha.unhone JAIRAJ ke ghar se nikalte hi ghar ke bahar surakhsa kawach bana diya tha. Unhe pata tha ki aisa kuch zaroor hoga....

Idhar BALBEER ko toh jaise jhatke pe jhatke lag rahe the.usse samajh nahi aa raha tha ki ye sab ho kya raha hai.ek pal ke liye toh usse laga ki abhi JAIRAJ aur uske bete ko khatm kar de par phir usne apne dimag ko shaant kar thande dimag se socha.

BALBEER- mujhe ghusse me koi faisla nahi karna chahiye.ye koi choti baat nahi hai.par kuch toh karna padega. Par kya, BALBEER gehre soch me chala gaya par fir achanak jaise usse kuch yaad aaya aur uski aankhen chamak gayin....

DIGVIJAY maine tumhe bohot kuch sikhaya hai, kali shaktiyon se nawaza hai,mujhe lagta tha itna kafi hoga,par ab lagta hai tumhe bohot kuch sikhana baaki hai.

DIGVIJAY- ji dad.mai bhi yahi chahta hun.mai us vikram ko aisa sabak sikhana chahta hun jo wo zindagi bhar yaad rakhe.

BALBEER- par ye aasan nahi hoga bete. Isme tumhari jaan bhi jaa sakti hai.kya tum taiyar ho.

DIGVIJAY- ji dad.aap jo bolenge wo mai karunga....

BALBEER- thik hai fir. Tumhe "MIRRORS WORLD" jaana hoga.

fir BALBEER DIGVIJAY ko batata hai ki usse kya karna hai.
DIGVIJAY BALBEER se ashirwaad lekar apni manzil ki taraf nikal padta hai....

( DOSTON, MIRROR WORLD ME HUM HAMARE STORY KE SECOND CHAPTER ME JAYENGE,JO KI HAMARI STORY KA SABSE ROMANCHAK PART HOGA )



WAHIN DUSRI TARAF:-


SAINT CECILIA- ab kya hoga. ASMODEUS ne usse apne vash me kar liya hai aur aisa mayajaal uske har taraf bicha diya hai ki hum uske aaspaas bhi nahi pahunch sakte.ab hum kya karen.


SAINT ALFRICK- sahi waqt ka intazar..........
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI DEFENDER WORLD OF WARRIORS KE CHARO TARAF SURAKSHA GHERA BANA DETA HAI AUR WORLD DOOR KE MAGIC KO BHI NISHPRABHAV KAR DETA HAI TAAKI KOI UNKE GRAH ME AA NAA SAKE.....DUSRI TARAF VIKRAM BABA VISHAKHT KE SAATH APNI YATRA PE NIKAL PADTA HAI....WAHI BALBEER DIGVIJAY KO MIRRORS WORLD ME BHEJ DETA HAI. AB AAGE......


CHAPTER- 1




( DEVIL'S ENCHANTMENT AND THE HOLY SPIRIT )




UPDATE- 16



Hume chalte hue kaafi waqt ho gaya tha, infact hum pichle 4 ghanton se chal rahe the. Mai bhi chup chap bag latkaaye guruji ke peeche chal raha tha. Man me toh kayi baar aaya ki guruji se puchun ki hum jaa kahan rahe hai,par fir jaane diya. Puch lene se kaun sa rasta chota ho jayega.jitna waqt lagna hai utna toh lagega hi.aur akhir me toh pata lagna hi hai ki hum kahan jaa rahe hai.isiliye chup chap chalta raha. Ghadi dekha toh pata chala Hum ghar se karib 9 baje nikle the aur ab 2 baj rahe the.matlab 5 ghante ho gaye the hume chalte hue.thakan toh nahi par haan, bhook zaroor lag rahi thi mujhe.ab mai soch raha tha ki guruji se kaise kahun!!!!

Guruji aage aage chal rahe the. Achanak chalte chalte wo rook gaye.jab wo palte toh unke chehre par ek muskan thi.

MAI- kya hua gurudev. Kya mujhse koi galti ho gayi.

BABA VISHAKHT- nahi putr, mai bohot khush hun.tum tumhare pehle imtihan me safal ho gaye.


MAI- kaisa imtihan gurudev?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



BABA VISHAKHT- JIGYASA aur SAIYAM putra. Har manushya ke man me jigyasa aur saiyam dono hoti hai par uska upyog wo kaise karta hai, ye hunar hi uski safalta ya asaflta nirdharit karti hai.tumhare man me bhi ye jigyasa thi ki hum kahan jaa rahe hain. Par uska adha uttar tumne khud ko hi de diya aur aadha samay par chhod diya.jo tumhara khudpe saiyam darshata hai. Ye dono goon salfata ke pehle do paayedaan hai jo tumne aasani se paar kar liye.

MAI- thanks oops dhanyawaad guruji.

BABA VISHAKHT- its ok vikram.you can use english where ever you want to....

Mai baba ke mooh se itni achi angrezi sunkar shocked ho gaya.

BABA VISHAKHT- kya hua vikram.itne hairan kyun ho.mai prachin zaroor hun par meri soch aur gyan samay ki seema me nahi bandha hai.aur waise bhi bohot mouke milenge tumhe chownkne ke. Taiyar raho.

Waise hum abhi kahan hai???

MAI- guruji hum abhi mumbai se just bahar......
.....OH.....MY.....GOD.......... WHAT THE F****
sorry guruji wo mai, lekin ye sab, i mean its impossible..ye kaise ho sakta hai. Ab dimag toh ghumna hi tha naa, kyunki hum abhi mumbai me nahi the, arre mumbai me chhodo hum toh jis road me khade the abhi hum us road me bhi nahi the, us road par kya kisi bhi road par nahi the,hum abhi ek pahad ki choti par the. Ek bohot bada hara bhara pahad.upar khula aasman, pakshiyan toh humse thoda niche ud rahi thi.hum us pahad ke top me rakhe ek vishal pathar ke upar khade the.mere kaanon me paani ki halki halki awaaz aa rahi thi, matlab paas me hi kahin jharna beh rahe tha.aur mera dimag yahan bilkul fuse ho gaya tha.mujhe toh lag raha tha ki mai koi sapna dekh raha hun. Maine apne haath me chimta toh yakin hua ki ye sapna nahi sach hai.mai bas idhar udhar dekh raha tha,ye sab sach hai yahi hazam karne ki koshish kar raha tha,jab saamne dekha toh BABA VISHAKHT muskura rahe the.zindagi me pehli baar mujhe thoda sa dar laga. Ab lagta bhi kyun nahi, aisa toh sirf movies me dekha tha.sach me bhi MAGIC jaisa kuch hota hoga,ye yakin karna thoda mushkil tha....

CHALIYE APNE HERO KO THODA SURPRISED CHHODTE HAIN AUR CHALTE HAI WORLD OF WARRIORS ME....

ek bade se maidan me LORD CRUSEDAR khade the,unke saath unke senapati HEINSBERG the aur unke saamne hazaron ke tadad me sainik ladhne ki practice kar rahe the.

LORD CRUSEDAR- itne me nahi hoga HEINSBERG. Hamare sainiko ka yudh star kafi gir gaya hai. Aise me toh hum apne aap ko pehle jaisa shaktishali kabhi nahi kar paayenge.

HEINSBERG- haan my KING. Iski chinta toh mujhe bhi hai.par isme sainiko ka bhi kya dosh, itne saalon tak gulami ki hai,uska asar in sab ke sharir par bhi hua hai.ye pehle se kaafi kamzor ho gaye hain.in sab ka aahar bhi humne badha diya hai,par pata nahi kyun ye tandarust ho hi nahi paa rahe hain...!!!!

LORD CRUSEDAR- koi toh upay hoga,inhe pehle jaisa karne ka.bohot der tak sochne par bhi jab LORD CRUSEDAR ko kuch upaaye na sujha,toh aakhir me unhone DEFENDER se hi madad lene ki sochi. LORD CRUSEDAR ne apni aankhen band kar DEFENDER ka awahan kiya.kuch hi der me ek tez gadgahat ke saath DEFENDER unke saamne tha.

LORD CRUSEDAR DEFENDER ke sammaan me jhuk gaye saath hi HEINSBERG aur wahan maidan par khade saare sainik bhi.

DEFENDER- uth jaiye sabhi log. Aur LORD CRUSEDAR aapke sainiko ko koi bhi aahar sharir pe isiliye nahi lag raha hai kyunki devils ne in sab ko KAAIWA ka ras pilaya hai taaki ye vidroh karna bhi chaahen toh na kar paayen.

LORD CRUSEDAR- kya,KAAIWA ka ras.usse toh in sab ka sharir andar se pura khokla ho chuka hoga.aur iska toh koi ilaaj bhi nahi hai.

DEFENDER- ilaj hai. Fir DEFENDER ne LORD CRUSEDAR ko ilaaj bataya aur kaha.

DEFENDER- jo maine bataya hai, uski zaroorat sirf aapke sainiko ko hi nahi aapko bhi hai.jab aap usse prapt karen toh apne sainikon ke saath khud bhi sewan karen.isse aapki shakti 10 guna badh jaayegi.

LORD CRUSEDAR- jo aangya DEFENDER...

Fir DEFENDER gayab ho gaya.....



BACK TO HERO....


BABA VISHAKHT- maine kaha tha na putr.tumhe aur bhi mouke milenge chownkne ke.....

MAI- AAA AA AAP kaun hain. Aap insaan nahi hai kya. Koi bhoot hain ya alien. Dekhiye mai toh ek bacha hun,mere paas kuch bhi nahi hai.aise hi najane kitni bakwas kar di maine. BABA VISHAKHT ek dum shant mudra me khade bas muskura rahe the.jab mera bolna khatm nahi hua toh unhone mere kandhe par haath rakha.

BABA VISHAKHT- shant ho jao putr. Ghabrao mat.mai tumhe koi nuksaan nahi pahunchaunga.mai samajhta hun ki tumhare liye ye sab naya hai, tumhare liye kya kissi bhi dharti wasi ke liye ye ek chamatkar hai, par yakin maano,ye kuch bhi nahi hai.is bramhand me kuch bhi namumkin nahi hai.

Ab tak mai thoda shaant ho gaya tha aur meri curiosity level bhi kaafi badh gayi thi.

MAI- gurudev, dharti wasi matlab.kya dharti se bahar bhi jeeven hai?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



BABA VISHAKHT- putr aaj ka pehla sabak......

Sawal wahi karo jo ussi waqt ke liye upyogi ho.aise sawal ka kya arth jiska jawab der sawer apne aap tumhe mil hi jayega.

MAI- ji gurudev.

BABA VISHAKHT- ek baat batao putra.tum BHAGWAN me maante ho!!!

MAI - jee gurudev.maanta hun.

BABA VISHAKHT- aur SHAITAN me!!!!

MAI- kya pata. Mera matlab maine kabhi socha nahi...

BABA VISHAKHT - putra, BHAGWAN aur SHAITAN ek hi sikke ke do pehlu hai.par dono me ek chiz saamanya hai.wo hai CHAMATKAR. Chamatkar se mera arth jadu mantra nahi hai balki SATYA aur MITHYA hai.Hum sabhi ke andar ye dono hi baste hain.hum jisse chunte hain,wo jeet jaata hai aur doosra haar jaata hai.par iska ye arth nahi ki jo haara wo khatm ho gaya hai.kyunki BHAGWAN ho ya SHAITAN ye har manushya me barabar baten hain.

Is bramhaand me aise bohot se raaz hai jiske baare me ya toh BHAGWAN jaante hai ya fir SHAITAN. Zyadatar is bramhand me basne waale log sadharan hain,jo apna jeevan kaal pura kar mrityu ko prapt karte hain.par kuch aise bhi log hain jo sabhi logon se chupkar us param pita parmeshwar ka karya karte hain.aise hi log SHAITAN ke paas bhi hote hain jo uska saamraajya pure bramhaand me failana chahte hain.par dono taraf ke hi logon ko saare sansaar se chup kar ye karya karna padta hai.aisa hi ek karya mujhe bhi soupa gaya hai, tumhe taiyar karne ka.

MAI- mujhe, par mujhe hi kyun gurudev.aur kis karya ke liye.!!!

BABA VISHAKHT- ek baat batao putra.tum is warsh kis kaksha me jaoge???

Ab ye sawal kahan se aa gaya beech me!!!

MAI- 11th me gurudev..

BABA VISHAKHT- college me kyun nahi!!!

MAI- uske liye toh pehle 12th clear karna hoga naa.uske baad jaunga.

BABA VISHAKHT- hmm.matlab jab uska waqt aayega toh apne aap chale jaoge, yahi naa!!!!

MAI- jee,............OHHHHH TERI, AB SAMJHA......waah guruji ka style toh gazab hai. Sawal me hi jawab. Bohot badiya. Mai dheere se has diya jisse dekhkar guruji bhi has diye.

BABA VISHAKHT- tum janana nahi chahoge hum kahan hain???

Saala pucho toh taklif naa pucho toh bhi taklif.par khud hi bol rahe hain toh puch leta hun.

MAI- jee gurudev.hum kahan hai
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?


BABA VISHAKHT-hum is waqt jis pahad par khade hain wo KASAULI sheher ke uttari chhor me stith hai.ye yahan ka sabse bada pahad hai.yahan tumhari shishka bina kisi baadha ke ho sakegi.is pahad ke andar ek ghana jungle hai jahan se tumhare khaane peene ki vyavastha araam se ho jayegi.

Tumhari shisha ek mahine ke liye chalegi.tab tak ke liye yahi tumhara ghar hai.Is ek mahine me tumhe 10 varsh ke barabar tak ka gyan milega.ab se tumhe bohot si ashchrayajanak chizen dekhne ko milengi,isiliye zyada chownka mat.

MAI- guruji,ab mujhe kisi baat pe ashcharya nahi hoga.

BABA VISHAKHT- apni daayin or dekho.

Maine jab apne right side dekha toh wakai meri aankhen khuli reh gayi. Mere saamne hawa me hi ek darwaza ban gaya tha aur uske andar se 3 log nikle.do aadmi the aur ek aurat.par teeno umr me zyade bade nahi lag rahe the.zyada se zyada 30 ke dikh rahe the.wo teeno hamare paas aaye aur guruji ke aage jhuk gaye....guruji ki awaz se meri tantra tooti....

BABA VISHAKHT- utho bachon. Wo teeno khade ho gaye
VIKRAM Tum toh keh rahe the tum nahi chownkoge.

Ab mai kya kehta.yahan toh saala special effects ki jhadi lagi hui thi.

BABA VISHAKHT- putr.ye hain AKSHAANT, MOKALSAR AUR SAILA. Tumhari shiksha me inki ahem bhumika hogi.

Mai waise bhi magic dekhkar kafi excited ho gaya tha.

MAI- gurudev ,kya mai bhi magic sikhunga.

BABA VISHAKHT- haan bhi aur nahi bhi.

Ab saala ye kya jawab hua.gurudev mujhe yun sochta dekh bole,

BABA VISHAKHT- mere kehne ka arth hai ki tum filhal jaadoo ko rokna sikhoge.karna nahi.fir bhi kuch chizen tum kar paoge jo jaadoo se kam bhi nahi hongi.

Ab mai kya kehta ,jo mile wo thik. Par fir bhi thida udas ho gaya.

BABA VISHAKHT- udas mat ho putr.ye shisksha tumhari puri shiksha nahi hai.aage chalkar tumge bohot kuch prapt karna hai.

pehle mai in teeno se tumhari pehchaan kara deta hun.

Ye hain AKSHAANT. ye tumhare pehle guru honge.pehla ek hafta tum inse sikhoge.ye tumhe takatwar aur gati sheel banayenge. Inke prashikshan se tumhari takat 10 haathi ke barabar ho jayegi aur raftar itni tez ho jayegi ki aankhon se tumhe dekhna tak mushkil ho jayega.

Ye hain MOKALSAR. ye tumhe bramhaand ki saari yudh shaili me maahir banayenge.dusra hafta tum inse siksha loge.

Aur ye hain SAILA. Ye tumhe hawa aur paani dono me barabar niyantran karna sikhaengi.inse uchit shiksha lekar tum paani me bhi saans le sakoge aur bade se bade tufan ke beech se bhi aaram se nikal paoge.

Aur aakhri hafte me tumhari pariksha hogi,jisme faisla hoga ki tum safal hue ya nahi.

MAI- aur guruji, aap!!!! Aap mujhe kuch nahi sikhayenge!!!!

BABA VISHAKHT- bilkul sikhaunga putra. Har shaam ko tumhari prashikshan ke baad 2 ghante tum mere saath bitaoge.jisme jo bhi tumne sikha hoga mai uski baarikiyan tumhe bataunga.iske alawa har roz praataha tum mere saath yog karoge jisse tumhara man aur mastishk itna shant ho jayega ki koi bhi prashikshan tum bohot jaldi hi sikh jaoge.mai tumhe is bramhand ke har vishay ka gyaan bhi dunga jo tumhare liye ati aavashyak hai.

MAI- jo aagya gurudev...

BABA VISHAKHT- aaj ka adhe se zyada pahar nikal chuka hai isiliye aaj hum vishram karenge. Fir guruji ne apne haath aage kiye. Unke haath se kuch white rays nikli aur saamne ki khali jagah par padi.dekhte hi dekhte wahan 5 tents ban gayi.

BABA VISHAKHT- jao tum sab chaho toh aaram kar lo ya fir ghum aao.yahan dekhne ke liye bohot kuch hai. Mujhe ek awashayak karya se jaana hai. Ye bolkar baba gayab ho gaye.

Aur hum bhi chal diye ghumne.raaste me meri un teeno se intro bhi hui.unki bhasha bhi thodi prachin thi par saaf thi.aur ek baat jo mujhe pata chali ki wo is duniya ke nahi hai.kisi VRIHAKH naam ke grah se hain. Ab mere liye kuch bhi shocking nahi tha.hum baat karte karte ek jharne ke paas pahunche.Maine itna sundar nazara pehle kabhi nahi dekha tha.hum sab wahin jagah dekhkar baith gaye aur baatein karne lage.AKSHAANT aur MOKALSAR toh shaant swabhav ke the par SHAILA badi chubuli thi.mujhe ANJALI ki yaad aa gayi.par kar bhi kya sakte hain.aise hi baaton me kab shaam ho gayi pata hi nahi chala fir hum wapas tent ke paas aa gaye. Shaam ka waqt aur upar se pahad,thand lagne lagi thi.MOKALSAR ne magic se aag jala di.hum wahin baith gaye. SHAILA ne bhi kuch bola aur haath aage kiye.saamne alag alag fruits aa gaye. Hum ussi ko khakar kuch der baithe rahe.fir apne apne tent me chale gaye......

AB KAL KA INTAZAR THA.MERI TRAINING KA PEHLA DIN...............


WAHIN DUSRI TARAF........


DIGVIJAY pahuncha MIRROR WORLD.............
DIGVIJAY ek jagah ke saamne khada hua.us jagah ne DIGVIJAY ko apne andar khinch liya. DIGVIJAY jab andar pahuncha toh uske saamne tha ek lamba chowda saaya jo kaale kapdo me ghira hua tha.uske chehre par mask tha.uski sirf aankhen dikh rahi thi... haathon me talwar jo tez chamak rahi thi.....


DIGVIJAY ek pal ke liye toh dar gaya par fir himmat juta kar bola,

kaun ho tum?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png


nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png




SAAYA- " AGRASENA ".........THE SWORD LORD............
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI BABA VISHAKHT VIKRAM KO LEKAR KASAULI KE BAHAR STITH EK PAHAD ME JAATE HAI JAHAN USKI TRAINING HONE WAALI THI.GURUJI TEEN LOGON KO VIKRAM KO SIKHANE KI ZIMEDARI DETE HAIN....WAHIN DUSRI TARAF DIGVIJAY PAHUNCHTA HAI MIRROR WORLD JAHAN WO KISI CHIZ KE SAAMNE KHADA HOTA HAI JO USSE ANDAR KHEECH LETI HAI.JAB DIGVIJAY SAAMNE DEKHTA HAI TOH USKE SAAMNE KHADA THA AGRASENA. THE SWORD LORD.....
AB AAGE........



CHAPTER- 1


( DEVIL'S ENCHANTMENT AND THE HOLY SPIRIT & THE HOLY SPIRIT )



UPDATE- 17




DIGVIJAY- AGRASENA....... Toh mai kya karun aur mai yahan kaise aa gaya mai toh ************* saamne khada tha....yahan kaise aa gaya.

AGRASENA- apni zuban ko uski hadh yaad dilao baalak. Itni baatein AGRASENA ko sunana pasand nahi.....

DIGVIJAY- OH hello, tum mujhe bataoge kitna bolna hai. Tum abhi mere baare me jaante nahi ho,warna yun bhonkte nahi. Agar mai chahun AAAAHHHHHHH...

Issi dard bhari awaaz ke saath DIGVIJAY 20 metre door jaa gira. DIGVIJAY ka sir ghoom raha tha.hoth phat gaye the. Usse samajh nahi aa raha tha ki usse koi sirf ek mukke se kaise itna ghayal kar sakta hai. Aisa uske life me pehle kabhi nahi hua tha. DIGVIJAY ne dheere se saamne dekha toh door AGRASENA khada tha.

KHSATI PRAVATI.zakhm thik karne ke liye usne mantra bola par ye kya koi asar nahi hua.DIGVIJAY ko ab bohot ghussa aa raha tha, usne apni puri shakti sameti aur ek jhatke me khada hua aur doudte hue AGRASENA ke paas pahuncha aur puri taakat se ek mukka mara. Mukka sidha AGRASENA ke gaal me pada aur AAAHHHHHHHHH.... ek dard bhari awaaz charo taraf gunj gayi.

Par ye kya ye awaaz toh DIGVIJAY ki thi, jo apni kalai pakad kar neeche baitha tadap raha tha.DIGVIJAY ko aisa lag raha tha jaise usne kisi ke mooh pe nahi balki chataan ko mukka maara hai.

AGRASENA- ho gaya tumhara. Baalak tum mere saamne ek kide se badhkar kuch nahi. Tum agar apni puri taakat bhi laga do toh mera ek baal tak nahi tod sakte.man toh kar raha hai ki tumhare is dusaahas ke liye tumhare PRAAN le lun par tumhe yahan ********** ne mere saamne pahunchaya hai. Tumhe sikhana mera kartavya hai.par dobara aisi galti ki toh wo tumhari antim galti hogi.

Aur ek baat, yahan tumhara koi bhi jaadoo beasar hai.toh koshish bhi mat karna.ab bolo kya vichar hai,sikhna hai ya wapas jaana hai.

Ab tak DIGVIJAY ka bhi akal thikane par aa gaya tha.usse lagne laga tha ki wo sahi jagah aaya hai aur ab yahan se sikhkar wo VIKRAM jaise 10 pe bhi bhaari padega.

DIGVIJAY- mujhe maaf kare guruvar.mai apne ghamand me andha ho gaya tha.ab dobara aisi galti nahi hogi....

AGRASENA- uchit hai. """"DHANUR""""................

ek zor ki bijli kadki aur ek hatha katha aadmi prakat hua. Ek haath me dhanush, dusre kandhe me tarkash.par ek ajeeb baat thi,wo ye ki tarkash me ek bhi teer nahi thi.....

AGRASENA- ye DHANUR hain.inke pehnawe se tumhe pata chal hi gaya hoga ki ye dhanush baan ki vidhya me maahir hain.par sirf baan se nahi ye kisi bhi shahstra ko teer ki tarah istamal kar sakte hain.aaj se tum inse siksha loge jab tak ye tumhe inke saari vidhya nahi sikha dete.agar tum inke prashikshan me safal rahe toh aage ki shiksha mai tumhe dunga.varna tumhe wapas loutna hoga.

DIGVIJAY- jo aangya guruwar....fir AGRASENA gayab ho gaye aur reh gaye DIGVIJAY aur DHANUR.......


Wahin dusri taraf........

Raat gehra chuka tha. Vikram apne tent me tha.baaki ke teeno ek tent ke andar baith kuch baat kar rahe the.

Kya hua bacho.kis vishaya me baat ho rahi hai!!!!

Teeno ne jab awaaz ki aur dekha toh saamne BABA VISHAKHT khade the. BABA ko dekh teeno khade ho gaye.


TEENO- namashkar gurudev......

BABA VISHAKHT- ayushmaan bhava.tum logon ne jawab nahi diya.Kis vishaya par charcha ho rahi thi!!!!!

Teeno ne ek dusre ki taraf dekha, ab kisiko toh kehna hi tha.


SAILA- wo gurudev, hum bas VIKRAM ki kal se shuru hone waali prashikshan ki baat kar rahe the.

BABA VISHAKHT- hmm.par ye aadha satya hai.haina!!!!

Ab teeno jaan chuke the ki baat ko chupane ka koi matlab nahi tha.

AKSHAANT- ji gurudev.hum yahi baat kar rahe the ki jis vidhya ko prapt karne ke liye hume najane kitne varsh lag gaye,jisse hum aaj bhi nikhar rahe hain, us vidhya ko aap usse maatr ek mahine me sikhana chahte hai. Ye toh asambhav hai.

BABA VISHAKHT- asambhav me hi sambhav chupa hota hai bachon. VIKRAM ek mahine me tum sab ki vidhya puri tarah sikhne me samarth hai ya nahi, ye tum teeno khud hi dekh lena.chalo ab kafi raat ho chuki hai, apne apne patwas (TENT) me jaakar so jao.kal pratah jaldi uthna hai.

TEENO- jee gurudev.shubh ratri.sabhi apne apne soch me gum apne tents me chale gaye. BABA VISHAKHT sabhi ki manodasha se bhali bhaali parichit the.wo bhi muskurate hue apne tent me chale gaye. Fir kuch khass nahi hua aur raat beet gayi aur fir ek nayi subah ka aaghas hua.

aakhir me wo din aa gaya jab VIKRAM ki ek simple se ladke se is bramhaand ke sabse bade yodha sabse shaktishaali vyakti banane ki shuruat honi thi...


Subah ke chaar baj rahe the.mai apne tent me soya hua tha, itne me mere neend me hi ek awaaz aayi,UTH JAO PUTRA, SAADHNA KA WAQT HO RAHA HAI.mai hadbada ke uth gaya.ass paas dekha toh koi nahi tha.

Yahan wahan mat dekho putra, mai tumhare antar man se jud kar baat kar raha hun.ab zyada socho mat, apne nitya karam kar jharne ke paas aa jaana.

Par soch toh mai raha tha, kyunki yahi awaaz us raat sapne me bhi maine suni thi.iska matlab gurudev hi the jo us raat mere sapne me aaye the.isiliye unki awaaz itni jaani pehchaani lagti thi.sawal toh aur bhi bohot the mere man me,par filhal waqt nahi tha.mai fatafat utha, fresh wagairaah hua, aur chal pada jharne ki taraf. Wahan pahuncha toh dekha gurudev dhyan awastha me baithe the.mai jaise hi unke kareeb pahuncha, unhone aankhen khol di.

BABA VISHAKHT- putra, ab se har roz issi samay me tumhe yahan aana hoga.

Abhi mai kuch kehta usse pehle hi guruji bole

BABA VISHAKHT- putra, apne man aur mastishk ko viraam do, maine kaha tha naa aise sawaal karne ka kya fayda jiska jawab der saver mil hi jayega.ab samay vyarth na karo, aur yahan baitho.

Maine bhi apna sir jhatka aur baith gaya.

BABA VISHAKHT- dhyan lagane ke baare me kya jaante ho!!!!

MAI- zyada toh nahi gurudev.bas itna hi ki apne man se saare vichar nikal do,man ko khaali kar do, apne chit ko ekagrit kar ankh band kar apne indryon ko kabu karo.

BABA VISHAKHT- atti uttam.par tumhe kuch aur bhi karna hai.

MAI- kya gurudev?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



BABA VISHAKHT- tum jab apne chit ko shant karoge, toh tumhe har tarf ya toh andhera dikhega ya ujala. Dono hi suraton me tumhe ek roshni khojni hai. Jab tum us roshni ke kareeb pohonch jao toh usse mehsoos karne ki koshish karna.

Ab ye kya logic hua, agar ujala hua toh aur ujala kahan se dikhega. Par ab guruji ko bolunga toh ek aisa logic fekenge jo apni samjh se upar hoga, isiliye jo aangya gurudev bol diya.

BABA VISHAKHT- thik hai putra, ab tum dhyan awastha me baitho aur koshish karo.

Par hamari baaton ka hissa sirf hum nahi the, koi aur bhi tha jo ye sab sun raha tha... ye koi aur nahi MOKALSAR tha,jo mere piche piche aa gaya tha aur ek ped ke piche se sab dekh aur sun raha tha.

Idhar mai dhyan awastha me baith gaya.ab ek quality toh bachpan se thi mujhme ki koi bhi kaam jo mujhe diya jaata tha usse mai puri lagan se karta tha.aur waise bhi mera dimag shant hi rehta tha.bhale hi ye dhyan lagane me mera first time tha par najane kyun dhyan me baithte hi mujhe aisa laga jaise ye mai saalon se karta aa raha hun.mai apne chit ko shaant kar man aur mastishk ko ekagrit karne me lag gaya.


Mujhe itni jaldi apni aap ko shaant kar dhyan lagate dekh guruji ke chehre par ek vijayi muskaan aa gayi.

BABA VISHAKHT- ( apne man me, atti uttam putr.mujhe garv hai ki mujhe tumhara guru banane ka soubhagya prapt hua.) Putra MOKALSAR, tumhe chupne ki awashyakta nahi hai, tum yahan aa sakte ho. Gurudev ne mind to mind MOKALSAR se ye baat kahi.

MOKALSAR bhi turant saamne aa gaya.

MOKALSAR- shama karen gurudev. Mai toh bas aise hi dekh raha tha.

BABA VISHAKHT- putra, mai janta hun tum kya dekh rahe the.tumhe abhi bhi VIKRAM ke upar sandeh hai naa!!!!

MOKALSAR- gurudev, sach kahun toh hai nahi tha. Par ab isse dekhkar lagta hai ki zaroor isme kuch khass hai.mujhe thik se dhyan lagane me 1 mahine se zyada ka waqt laga tha aur ye pehli baar me hi aise dhyaan me baitha hai jaise najane kitne saalon se dhyan karta aa raha ho.

BABA VISHAKHT- ye kuch bhi nahi hai putra.kuch samay do, jo tum dekhoge uspe yakin nahi kar paoge.

MOKALSAR- gurudev, kya mai bhi yahin par dhyan lagane ke liye baith jaaun.!!!!

BABA VISHAKHT- awashya putra. Par tum zyada der tak baith nahi paoge.

MOKALSAR- kyun gurudev?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



BABA VISHAKHT- pata chal jayega. Baith jao....

MOKALSAR- dhanyawaad gurudev.aur MOKALSAR wahi mere paas dhyan me baith gaya.

Idhar mai dhyan me baitha hua tha.mai puri tarah apne andar kho sa gaya tha.mujhe kuch bhi yaad nahi tha,yahan tak ki mom dad bhi nahi.is waqt mai ek shunya ki stithi me tha.mujhe aas paas sirf roshni hi roshni dikh rahi thi.meri indriyan kuch khoj rahi thi,kya, ye mai bhi nahi jaanta tha.guzarte waqt ke saath saath aisa lag raha tha jaise mai apne manzil ke kareeb pahunch raha hun. Ye duniya puri kalpanik thi fir bhi kitni vaastawik lag rahi thi.meri indriyan us roshni me dekhne ki koshish kar rahi hi rahi thi ki achanak us roshni me bhi kuch chamka aur meri indriyan us aur khinchti chali gayi.jaise jaise mai us chamakne waali chiz ke karib jaa raha tha mujhe apne andar ek urja si mehsoos ho rahi thi...ye sab mere andar chal raha tha.bahar kya ho raha tha ye mujhe pata nahi tha.


MOKALSAR ko abhi dhyan me baithe 10 min bhi nahi hue the ki usse garmi lagne lagi.ye bohot ajeeb baat thi kyunki yahan ka mousam bohot thanda tha. Thodi der me garmi aur badh gayi aur MOKALSAR ke aankh band hone ke bawajud uski aankhon me roshni ghus kar chubhone lagi. MOKALSAR ne jab aankh kholkar meri taraf dekha toh turant aankhen band kar li.wo waise hi aankhen band kar utha aur dusri taraf chal diya.thodi door pahunchke usne aankhen kholi toh saamne ka nazara dekhkar dang rah gaya.mere pure sharir se roshni nikal rahi thi, aur wo roshni badhti hi jaa rahi thi....aas paas ka pura ilaka meri us roshni se chamak raha tha. MOKALSAR ke paas hi guruji bhi khade the jo muskura rahe the.

Idhar mai us ujaale ke paas pahuncha.ye koi cheez nahi thi koi saaya tha jo surya se bhi tez chamak raha tha fir bhi paani ki tarah sheetal tha.najaane usme kaisa sammohan tha,mai ek tuk uski aur dekh raha tha.tabhi us saaye ne kaha....


WHITE SHADOW- kya dekh rahe ho VIKRAM.mai tumhare andar hi hun, ya ye kahun ki tum aur mai ek hi hain.

MAI- aap kaun hain?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



Wo saaya mere kareeb aaya aur bola...

WHITE SHADOW- apne aap ko pehchaano VIKRAM.......aur ye bolkar usne mujhe chua.....mujhe ek tez jhatka laga aur ek pal ke liye meri aankhon ke aage pura BRAMHAND aa gaya.ye jhatka sirf mere andar nahi laga tha, balki bahar bhi laga tha. yahan WHITE SHADOW ne mujhe chua, aur jo roshni mujhse nikal rahi thi, wo phat gayi, jiski chapet me gurudev aur MOKALSAR bhi aa gaye aur aas paas ke sabhi ped bhi. MOKALSAR aur guruji ko ek tez jhatka laga aur dono door pheka gaye aur saare ped poudhe jal kar rakh ho gaye.guruji ko toh zyada chot nahi aayi par MOKALSAR
ki haalat kharab ho gayi.uska sharir jagah jagah se phat gaya tha aur khoon nikal raha tha. Guruji turant uthke uske paas gaye aur uske upar haath rakh mantra bole,KSHATI PRAVATI......dheere dheere MOKALSAR ke saare zakhm bhar gaye par wo ab bhi kaafi kamzor dikh raha tha.

BABA VISHAKHT- tumhe pura swastha hone me samay lagega.mai tumhe tumhare ghar bhej raha hun.swastha hokar lout aana.
Ab MOKALSAR bhi kya kehta, abhi toh uski haalat sach me kharab thi.

MOKALSAR- jaisa aap kahen gurudev.....

Phir guruji ne usse WORLD DOOR se wapas bhej diya,wahan jo sab kuch jal chuka tha, sabko thik kar diya aur mere paas aa gaye kyunki mai bhi WHITE SHADOW ke chute hi jhatke se behosh ho gaya tha.

Guruji ne mere sirpar haath rakha "CHETNA PRAYAGCHHATI...."

Msine dheere se apni aankhen kholi.

MAI - mujhe kya hua tha gurudev.

BABA VISHAKHT- kuch nahi putra. Aur jo tumne dhyaan awastha me dekha filhal uske baare me bhul jao.sirf apne prashikshan me dhyan do.

Ek toh mujhe samajh nahi aata ki guruji ko pehle se sab kuch kaise pata chal jaata hai aur upar se bolte hai ki kuch puchun bhi naa,yahan tak ki sochun bhi naa.arre yaar insaan hun robot nahi. Soch toh aa hi jaati hai naa.khair bolke toh kuch faayeda nahi, jaisa bolte hain karte jaara hun.waise bhi guruji ne bola toh hai hi, sahi waqt par sab pata chal hi jaayega. Fir mai aur gurudev tents ke paas aa gaye,jahan AKSHAANT aur SHAILA khade the......


DONO- suprabhat gurudev, suprabhat VIKRAM........

BABA VISHAKHT- suprabhat bachon....

MAI- suprabhat......

BABA VISHAKHT- AKSHAANT tum VIKRAM ka prashikshan aarambh karo.aur dhyan rahe koi rihayat nahi.kadi mehnat karana isse.

AKSHAANT- jo aangya gurudev.

BABA VISHAKHT- SHAILA tum bhi VIKRAM ke prashikshan ki taiyari karo.wo saari vidhyaon ka abhyaas karo jo tum VIKRAM ko sikhane waali ho.

SHAILA- ko aangya gurudev. Par ye MOKALSAR kahin dikhayi nahi de raha hai.

BABA VISHAKHT- maine usse kuch mahatvpoorn kaarya se bheja hai.

BABA VISHAKHT- vikram. Manushya ya toh dimag se sochta hai ya fir hridaya se.isse usse safalta toh milti hai par uski ek seema hoti hai,jisse tum vigyan ya science kehte ho.agar tum mastishk aur hriday ko ek kar ke socho toh tum in seemaon ko tod aage badh jaoge.tumhari seema tum khud tay karoge. Jis tarah tumne aaj dhyan laagaya hai ussi tarah dimag aur hriday ko jodkar abhyas karna.parinaam wo aayega jo tumne socha bhi nahi hoga.....

VIKRAM- is seekh ke liye dhanyawaad gurudev.mai yaad rakhunga.

Phir mai aur AKSHAANT chal diye pahad ki dusri aur...


AKSHAANT- VIKRAM, hume yahan se pahad ke under se hote hue dusri taraf jaana hai.andaza lagao,kitna waqt lagega..

MAI- kamsekam 30 minute.....

AKSHAANT- thik hai, toh doudna shuru karo.

Ab mai kya bolta doudna shuru kar diya.mai ek t shirt aur lower me tha, isiliye running karna aasan tha mere liye.mai shuru ho gaya.ab mujhe thakan toh aasani se lagti nahi thi.mai nazaaron ki taraf dekhte hue doudte jaa raha tha ki achanak mujhe laga ki koi mere baju se nikla hai.maine jab saamne dekha toh koi nahi tha.maine dimag jhatka aur doudte hue pahad ki dusri aur pohonch gaya.mai jaise hi waha pahuncha mujhe ek jhatka laga,kyunki AKSHAANT wahan pehle se hi khade the aur muskura the.

AKSHAANT- kya hua, itne hairan kyun khade ho.waise manana padega tum 20 minute me hi pohunch gaye aur tumhari saansein bhi durust hain.

MAI- waise aapko pahunche hue kitna waqt hua.

AKSHAANT- kareeb 19 minute....

MAI- kya!!!!!

AKSHAANT- kyun yakin nahi hai. Vikram vishwas karna sikho.khud pe,khud ke raftaar se.jab tak tumhara dimag ye nahi maanega ki tum tez ho tum tez nahi doud paoge.

Ab chalo mai tent ke paas khada hun.tum aao mere peeche.par is baar khud par yakin karna.jitna dridh nishchaya utni tezi..aur agle hi pal AKSHAANT doud pade aur mai toh dekhta hi reh gaya kyunki 2 second me hi wo meri aankhon se ojhal ho chuke the.

MAI- lag gaye beta...aur tu apne aap ko champion samajh raha tha.chal focus kar.maine bhi do teen lambi saansen li aur doudna shuru kiya.is baar mai idhar udhar nahi dekh raha tha.bas sidhe dekhkar doud raha tha.kuch hi der me mai tent ke saamne tha.

AKSHAANT- hmm.15 min.achi baat hai par ye kaafi nahi hai vikram.aise toh tumhe sikhne me saalon lag jayenge.

SAILA bhi wahin khadi thi jo dheere dheere has rahi thi.mujhe ye acha nahi laga kyunki uski hasi mazak udane waali hasi thi.

AKSHAANT- mai tumhara prashikshan aage tab tak nahi badhaunga jab tak ki tumhari gati nahi badh jaati.tumhe 5 minute ke andar parvat ke is chhor se us chhor aur fir wapas aana hai.jab tum itne tez ho jaoge fir aage ka sochenge.

SAILA- arre AKSHAANT, ye kya kar rahe ho, bacha hai thodi toh daya karo.....

AKSHAANT- ab guruji ne hi kaha hai isse ek hafte me taiyar karo.aise karega toh kahan se sikh payega.

SAILA- vikram tum naa ek kaam karo, ghar lout jao aur wahin practice karo.jab kuch kaam banane lage toh aa jana.ye bolkar dono hi hasne lage.mujhe bohot bura lag raha tha par mai bol bhi kya sakta tha. Par wo dono achanak chup ho gaye.maine palat kar dekha toh guruji aa rahe the.

BABA VISHAKHT- idhar aao VIKRAM.

Mai unki taraf chala gaya.

BABA VISHAKHT- putra, tumhare pairon ki gati kam nahi hai tumhare soch ki hai. Maine tumhe kaha tha naa ki sirf dimag se ya hriday se sochoge toh ek seema me bandh jaoge.apne hriday ko apne mashtishk se jodo.thik waise hi jaise subah dhyan ke waqt kar rahe the.fir koshish karo.

MAI- jo aangya gurudev. Maine gurudev se aashirwaad liya aur wapas un dono ke saamne aa gaya.

MAI- thik hai AKSHAANT ji....aage ki shiskha tabhi hogi jab mai apki is chunouti pe khara utrunga. SHAILA abhi bhi muskura rahi thi.

mai palta, apni aankhen band ki,aur apne dimag aur dil ko khali kiya.ab mera dhyan firse sunya mai pahunch gaya tha. Mujhe mere sharir me ek sarsarahat si mehsoos ho rahi thi, mera khoon mere andar 100 guna tezi se beh raha tha.maine ek jhatke me apni aankhen kholi aur doud laga di.mere doudte hi SHAILA aur AKSHAANT ke mooh khule ke khule reh gaye.kyunki kuch hi pal me mai unki nazar se gayab ho chuka tha. Wo dono shock me baithe the.kuch der baad unke kaano me ek awaaz aayi.ek pal ke liye unhe hosh aaya par saamne waale ko dekh kar wo fir ussi shock me chale gaye,kyunki unke saamne aur koi nahi mai khada tha.

MAI- kya hua AKSHAANTJI, SHAILAji, mai hi hun VIKRAM.

Mai apni ghadi dekhte hue,
MAI- AKSHAANTJI, aapne mujhe 5 minute ka samay diya tha.maine 3 minute me hi puri kar di.ab toh mai aage ke prashikshan ke liye taiyar hun naa.

AKSHAANT aur SHAILA ko vishwas hi nahi ho raha tha ki jo unhone kaha tha maine kar dikhaya.wo dono hi kuch kehne ki haalat me nahi the.

MAI- AKSHAANT JI, SHAILA JI, shaktishali hone ka ye matlab toh nahi ki aap saamne waale ka mazak udayen.ye hak uparwaale ne kisiko nahi diya hai.ho sake toh is baat ka dhyan rakhiyega.

AKSHAANT aur SHAILA dono ko hi apni galti ka ehsaas ho chuka tha.

AKSHAANT- mujhe maaf kardo vikram.mai aaj ke din ko ek sabak ke roop me lunga.

SAILA- mujhe bhi shama karna vikram.mai ghamand me aakar kuch zyada hi bol gayi...

MAI- shama mat mangiye.aap mujhse bade hain,aur mere guru bhi.apko apki bhool dikhi yahin bohot hai.

Acha ab training i mean prashikshan shuru karen.abhi toh mujhe bohot kuch sikhna hai....

AKSHAANT- bilkul.ab toh mai tumhe wo sab bhi sikhaunga jisme mai khud puri tarah se mahir nahi hin.sirf jaanta hun.mujhe yakin hai tum wo sab bhi kar loge.

SHAILA- haan, aur ab mai bhi kathin abhyas karungi.taaki tumhe kathin prashikshan de sakun.

Mai bhi unki baat sun muskura diya.

Guruji apne tent me dhyaan awastha me baithe hue the, par sab kuch dekh rahe the.

AKSHAANT- tumhari gati tez ho gayi hai par itne se bhi kaam nahi chalega.ab se har din tum kamsekam 10 baar issi tarah doudoge.mujhe yakin hai tum mujhse bhi tez doud sakte ho.chalo phir hum dono doudte hue ussi dusre chhor par chalte hain.wahin par tumhari aage ki prashikshan hogi.bina deri ke hum dono ne doud laga di.mujhe toh aisa lag raha tha jaise mai ud raha hun. AKSHAANT pehle pahunche, uske kuch pal baad mai bhi pahunch gaya.

AKSHAANT- bohot ache VIKRAM. Lekin tezi sirf doudne me hi nahi hoti yudh me bhi hoti hai.koi bhi shastra tumhare haath me ho, tumhari taakat aur tezi usse khatarnaak banati hai..

akshaant ne apne haath aage kiye, toh saamne zamin par kuch bhaale ke aakar ke weapons aa gaye. AKSHAANT ne ek bhala uthaya aur wahin door me pade ek chattan ke upar fek diya.DHADAMMMMMMM.....ek zor ke awaaz ke saath chataan ke tukde tukde ho gaye.mai toh saala hil gaya itni takat dekhkar.

AKSHAANT- ab tum koshish karo.aur dhyan rahe tumhare pure sharir ki,aatma ki shakti tumhe apni bhujao me laani hai uske baad prahar karo.aur ek baat,apni taakat par bharosa karo.koi sankoch nahi,jitni prabal tumhari aatma ki icha hogi, utni hi tumhare bhujaon me taakat aayegi...

Maine bhi ek bhala uthaya ,apne man ko shant kiya,aur bhaale ko ek chattan ki taraf fek diya.bhala us chattan se takraya aur gir gaya.chattan toota toh nahi,par haan usme darar zaroor aa gayi.

AKSHAANT- bohot ache.pehli baar me hi tumhare prahar me shakti thi.par itne se kuch nahi hoga VIKRAM. Tumhe bohot kuch sikhna hai aur waqt kam hai.fir koshish karo.

PUTRA APNE HRIDAYA KO APNE MASTISHK SE JODO, mai abhi bhala uthane hi waala tha ki guruji ki awaaz mere dimag me gunji.

maine bhala uthaya, apni aankhen band aur apne man ko,dimag jo.khula chhod diya.mujhe aisa laga jaise mere andar kuch jud raha hai.asim shakti ka ehsas hua mujhe apne andar.maine aanken kholi, bhaale par apni pakad sakht ki aur puri takat se bhaale ko chattan ke upar fek diya.

BOOOOOOMMMMMMM......ek zordar dhamaka hua.....aur wo chattan chur chur ho gaya.

AKSHAANT- adhbhut.waah maza aa gaya.maine aaj tak kisiko itni jaldi itna sab sikhte nahi dekha. Dekhna ek din tumhara naam pure bramhaand jaanega.mujhe bohot garv mehsoos ho raha hai ki mai tumhara guru hun....chalo maine socha tha pehla din kuch halka hi sikhaunga,par ab nahi, ye sab abhyas tumhare liye nahi hain.ab mai bhi dekhna chahta hun ki tumhare taakat ki had kya hai.

AKSHAANT ne mera haath pakda aur hum gayab hokar us pahad ke beech me aa gaye jahan kaafi ghana junge tha.

AKSHAANT-Aaj baaki ka abhyaas hum yahin karenge. AKSHAANT ne aankh bandkar kuch kaha aur apne haath faila diye aur agle hi pal wahan ka mahoul hi badal gaya....................



WAHIN DUSRI TARAF.....

DIGVIJAY aur DHANUR ek khali maidan me khade the.is maidan ka koi ant nahi dikh raha tha. DIGVIJAY toh bas idhar udhar dekh raha tha.....

DHANUR- ye ILLUSION WORLD hai.(bhram ki duniya)
Yahan jo kuch bhi hota hai usse asli duniya me koi fark nahi padta.chalo shuru karte hain.

DHANUR ne apna haath aage kiye, turant saamne ek bohot badi diwal ban gayi........is diwal ki lambai aur choudai kamse kam 500 feet ki hogi.

TEER PRAKATAM..... DHANUR ke aisa bolte USKE haathon me teer aa gaya.

SHASTRA YAMAKAM.........aise bolte hi wo teer double ho gaye.

DHANUR- kisi bhi shashtra ka upyog karne ke liye us shahstra ko apni sharir ki urja se jodo. DHANUR ne teer ko apne mashtishk se lagaya aur kaha.....

PURVAPARI BHAVATI......DHANUR ke is mantra ko bolte hi wo teer chamakne laga. DHANUR ne apna dhanush nikala,teer chadhaya aur saamne diwal ki taraf chhod diya.teer ke dhanush se nikalte hi ek tez gadgadahat hui, aur jaise hi teer diwal se takrayi ek bhayankar blast hua aur wo diwal puri mitti ho gayi.

DIGVIJAY toh freeze ho gaya ye dekhkar........

DHANUR- us diwal ke dehne ka kaaran teer nahi hai, mera shakti shroth hai, mere andar ki urja hai jo kisi bhi shashtra ko shakti deti hai. Tumhe aaj se issi mantra ka ucharan karte hue apne shashtro ke saath abhyas karna hai.tumhe jo bhi chahiye hoga ,tumhare bolne maatr se tumhare saamne upasthit ho jayega.jis din tum apne andar ke urja ko sahi shakti doge aur us shakti ko apne shashtro se jodne me kamiyab hoge,tumahre prashikshan ka pehla charan pura hoga.ab mai chalta hun, jab bhi meri awashyakta ho,mujhe awaaz dena,mai aa jaunga.

ye bolke DHANUR gayab ho gaya.aur DIGVIJAY lag gaya apne practice me.....



WAHIN DOOR EK AGYAAT GRAH ME........


ek zor ka dhamaka hua aur us dhamake ki roshni ke beech se ek kaala saaya bahar aaya.ye saaya aur koi nahi ASMODEUS tha aur is grah ka hi naam tha the CROSS WORLD....

ASMODEUS dheere dheere chalte hue ek gufa ke andar jaa raha tha.us gufa me se roshni aa rahi thi aur kuch logon ke gaane ki awaaz bhi.... ASMODEUS us gufa ke andar chala gaya.andar 7 log jo sir se lekar paon tak kaale kapdo me dhake hue the,wo gola banakar baithe hue the aur kuch gaa rahe the.un saathon ke beech me ek CUBE rakha hua tha jisme se roshni aa rahi thi jo pure gufa ko roshan kare hue thi.

ASMODEUS chalte hue unke beech me se CUBE ke paas pahunch gaya. Un saathon ne jab ASMODEUS ko dekha toh uske kadmo me jhuk gaye...

ASMODEUS- khade ho jao mere "BLACK APOSTLES".....

DOSTON YE SAATHON HAI ASMODEUS KE BLACK APOSTLES....jo najaane kitni sadiyon se is grah par rehkar us CUBE ki rakhsha karte hain. Ye saathon ek chain me baith kar black magic ka gaana gaate rehte hain.is gaane se pure bramhand ki burai nikal kar ASMODEUS ke andar samati rehti hai.issi wajah se ASMODEUS ki taakat har pal badhti jaati hai.

ASMODEUS- APOSTLES, tum sabhi is grah ke har taraf faile jao aur is grah ko invisible kar do.koi bhi angel na dekh paaye ki ye planet kaha hai aur yahan kya ho raha hai.

Saare APOSTLES sir jhukakar bahar nikal gaye. ASMODEUS ne gufa ko band kar diya aur us CUBE ke saamne dhyan me baith gaya.......




 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI EK TARAF VIKRAM KI AUR DURSI TARAF DIGVIJAY KI TRAINING SHURU HO CHUKI HAI.VIKRAM HAR CHIZ JALDI SE SIKH RAHA HAI.WAHIN DUSRI TARAF ASMODEUS CROSS WORLD ME PAHUNCH GAYA HAI AUR DHYAN ME BAITH CHUKA HAI.
AB AAGE.........




CHAPTER 1



( DEVIL'S ENCHANTMENT AND THE HOLY SPIRIT )





UPDATE - 18



Mai soch raha tha ki kya magic ki duniya me koi daayra koi seema hai bhi ya nahi.kyunki mere saamne ka nazara hi kuch aisa tha. Jahan abhi bas 1 minute pehle hara bhara ghana jungle tha , ab wahan ek bada vishal maidan tha.par usse bhi ajeeb ye tha ki ye maidan pure pahad se kamse kam 10 guna bada dikh raha tha aur upar aasman bhi neela na hoke saptrangi tha.mai bas idhar udhar dekh raha tha.

AKSHAANT- zyada chownko mat vikram. Ye sab kaalpanik hai. Ye puri jagah mere dimag ki upaj hai .ab yahan hum kuch bhi karen,koi fark nahi padega.ab tumhara prashikshan aur kathin hone waala hai.ho sakta hai isse tumhe chot pahunche,tumhe pida bhi ho.
kya tum taiyar ho!!!!

MAI- bilkul. Maine ye bohot excited hokar bola tha jisse dekhkar AKSHAANT ke chehre par ek smile aa gayi.

AKSHAANT- thik hai fir.ye batao is maidan me tumhe kya dikh raha hai!!!

MAI- kuch jagah cement ki bani hai,aur kuch jagah reth ki.par ret aur cement baar baar apni jagah badal rahe hain.aur ye maidan,wastavik jagah se bhi bada hai.

AKSHAANT- hmm,aur kuch.

Maine ek baar dhyan se har taraf dekha.arre ye kya, jab bhi reth aur cement apni jagah badal rahi hai, zamin ke andar se kuch halka sa bahar nikal raha hai.maine ye baat AKSHAANT ko batayi.

AKSHAANT-hmm.is maidan ko "MATIBHRAM" maidan kehte hai.10000 veeron mese 10 hi aise hote hai jo is chunouti ko paar kar paate hain.

jo halka sa bahar nikal raha hai, wo ek ROOPANTARAN yantra hai.wahi ret aur cement ki jagah badal raha hai.sirf itna hi nahi, agar ret aur cement ke jagah badalne ke waqt koi uske upar se guzre toh ye yantr kisi bhi cheez ka aakar le sakti hai, jo guzarne waale ki jaan bhi le sakta hai.

tumhari chunouti ye hai ki is maidan me jitne bhi reth aur cement waali jagah dikh rahe hain,tumhe unke upar se hote hue yahan aana hai.

MAI- bas, ye toh aasaan hai.

AKSHAANT- muskurate hue, dekhte hain, tumhe do baaton ka khayal rakhna hai. Pehla, jab tum ret ke upar se guzro, toh tumhe apna wazan halka rakhna hai, warna ret tumhe apne andar kheech legi,aur jab cement ke upar se guzro, toh apna vazan badhakar cement pe daal kar niklo.warna cement bhi tumhe apne andar khich legi.apne aap ko halka karne ke liye tumhe apni indriyon ko kaabu kar apne pair ke saare wazan ko apne upari sharir me daalna hoga aur zyada karne ke liye apne rakt pravaah ko 1000 guna tak badhana hoga jisse tumhare sharir ke har hisse me bhaar pade,ye bhi tum apni iccha shakti se hi kar paoge.apne dimag ko puri tarah shaant rakhna,aur haan sabse mahatvpurn baat, agar tumhare reth aur cement ke upar se nikalte waqt, unki jagah badle,toh savadhan rehna.kyunki fir tumhara saamna ROOPANTARAN yantra se hoga,aur wo kiska roop dharan kar tumse lade, ye sirf wahi jaanta hai.

Ab meri phati.saala ye toh pakka tha ki aise hi toh ye mai paar nahi kar paunga.par subah ke mere prashikshan se mujhe kuch housla tha.

MAI- thik hai guruji... mai taiyar hun.par ek baat bataiye, is prashikshan ka anth kaise hoga.

AKSHAANT- do tarike hain.pehla, bina kisi rukawat ke tumhe in sab ke upar se kul 5 chakkar lagane hain.aur doosra, agar tumhara saamna kisi bhi ROOPANTARAN yantra se hua, toh bas ek baar usse harana hai.ye kar lo aur aaj ka prashikshan samapt...

Lambi saans chhodte hue, MAI- Thik hai guruji, mai taiyar hun. Maine charo taraf dekha, aur doud laga di.....


WAHIN DUSRI TARAF...........



DIGVIJAY khada soch raha tha ki shuruat kaise kare!!!!

DIGVIJAY- mai bhi dhanush baan se shuru karta hun.

Dhanush teer prakatam.

Aur saame ek dhanush aur teer aa gaya. DIGVIJAY ne pratyancha chadaya,diwal ki taraf dekha aur kaha,SHASHTRA YAMAKAM, par kuch nahi hua.teer abhi bhi single hi tha.par DIGVIJAY ne zyada socha nahi,apni aankhen band ki aur DHANUR dwara bola gaya mantra dohraya, PURVAPARI BHAVATI.... teer chamka par bohot halka sa. DIGVIJAY ne teer diwal ki aur kar chhod diya.teer jaakar diwal ke beech me takraya aur gir gaya.deewar waisi hi khadi thi.

DIGVIJAY- saala, ye toh kuch bhi nahi hua.ab kya karun, haan, koi dusra shashtra try karta hun...GADA PRAKATAM.....aur DIGVIJAY ke haath me gada aa gaya.
Ab dekhta hun, ye diwal kaise nahi toothti......!!!!!!
Aur fir DIGVIJAY lag gaya apna shakti pradarshan karne me. PURVAPARI BHAVATI, gada halka sa hi chamka,DIGVIJAY ne puri taakat ke saath gada diwal ki taraf fek diya, gada diwal se takraya, par usse kuch fark nahi pada.ab DIGVIJAY ko frustratiion hone lagi.fir kya tha, saare shastra try kar daale. SHUL, FARSA, CHANDRAHAAS, VAJRA, aur najane kya kya.par diwal ko koi fark nahi pada. DIGVIJAY frustrate hokar wahin baith gaya sur DHANUR ko yaad kiya.turant wahan DHANUR prakat hue.

DHANUR- kya hua balak.itne me hi haar maan gaye.mujhe nahi lagta tumse kuch ho payega, tumhe apne ghar lout jaana chahiye.

DIGVIJAY- ye toh ho nahi sakta.mai bina sikhe kahin nahi jaa raha.

DHANUR- toh fir baith kyun gaye.

DIGVIJAY- toh aur kya karun.kabse koshish kar raha hun, par kuch ho hi nahi raha.

DHANUR- toh nirash hokar baith jaoge!!! Tumhe kya laga, yahan koi drav milega jo tum peekar shaktishali ban jaoge.kadi mehnet karni padegi.sabse pehle toh ye bhram mitado ki tumhe kuch bhi aata hai.apne man ko khali kardo.yaad rahe ek khali kshaar( glass) ko hi bhara jaa sakta hai, bhare hue ko nahi...mantra tab kaam nahi karte jab hum unka uccharan karte hain,balki tab kaam karte hain jab hamara pura sharir hamari aatma us mantra ka awahan karti hai.apne pure sharir ki apni aatma ki taakat ko apne mantra me daal di, aur fir mantra ka uccharan karo.

DIGVIJAY- dhanyawaad guruvar.ab mai aisa hi karunga.fir digvijay ne apne dono haath jode, apne dimag ko shant kiya,apna ek haath aage kiya.... DHANUSH TEER PRAKATAM...... dhanush me teer chadhaya,SHASHTRA YAMAKAM.is baar teer do hogaye.DIGVIJAY ne teer apne maathe se lagaya, PURVAPARI BHAVATI....Is baar teer thoda tez chamakne laga, 


DIGVIJAY ne teer diwal ki taraf chhod diya.teer ke diwal pe lagte hi ek zor ki awaaz hui.

Diwal tuti toh nahi par usme dadar pad gayi.

DHANUR- atti uttam putr.bas issi tarah abhyas karte raho jab tak ye diwal toot nahi jaati.aur DHANUR gayab ho gaye


ek baat bata dun,diwar par darar nahi daalni thi, pura todna tha.isiliye har prahar ke baad agar diwar ko kuch nuksaan bhi hota toh wo fir se thik ho jaati.

Par ab DIGVIJAY me bhi confidence aa gaya tha.pure josh se wo lag gaya apna target pura karne me


BACK TO HERO.......

Maine ek lambi saans li aur puri taakat se doud laga di.meri speed kaafi tez thi.sabse pehle mera saamna ret se hua par mai ye bhul gaya ki mujhe apna wazan kam karna hai aur jaise hi mera pair ret me gaya,.....................mai sidha andar, aur mai girta hi chala gaya..... DHOOBBBB......

AHHHHHH....... maine aankhen kholi toh dekha mai AKSHAANT ji ke saamne gira pada tha.

MAI- mai toh ret ke andar ghus gaya tha....mai yahan kaise pahuncha......

AKSHAANT- jab bhi tum ret ya cement me sama jaoge wo tumhe apne andar kheech kar wapas yahi shuruat me gira dengi.....

Ab ye ek nayi musibat.matlab jitne baar bhi mai ye maidan paar kar lun, agar ek baar bhi mai kahin fasa toh firse shuruat karni padegi....saala kaun kehta hai, I.A.S clear karna sabse mushkil hai.saalon ye try karke dekho,pata chalega.ab aise waahiyaad tark se koi matlab toh nikalna nahi tha, toh mai lag gaya apni training me.

Is baar maine cement ki taraf se jaane ki sochi, aur laga di doud.is baar mujhe yaad tha ki mujhe apna wazan badhana hai.maine apne dimag ko apne sharir ke urja se jodna shuru kiya,par ye sab bohot hi zyada mushkil tha.ek toh tez doudna aur uspe dimag pe niyantran kar apna wazan ghatana aur badhana,aur in sab ke liye mere paas bas 1 ya do second ka hi waqt tha....

Jab mai cement ke karib pahuncha toh mujhe laga ki mera sharir bhari ho raha hai.mai cement ke upar se hote hue aage nikal gaya.meri khushi ka thikana nahi tha.abhi mai kuch aur sochta ki DHAAMMMMMMM.

Maine aankhen kholi toh mai AKSHAANTJI ke saamne gira pada tha.

AKSHAANT- bohot ache vikram.tum apna vazan badhane me kamiyab rahe. Par tum ye bhool gaye ki jis raftar se tum doud rahe ho tumhe mushkil se 1 pal lagega ret ke upar se guzarne me,natija, tum apna wazan kam nahi kar paaye aur ret ke andar sama gaye...... yahi tumhari pariksha hai VIKRAM...vijeta wo nahi hota jisme adhik shakti hoti hai, vijeta wo hota hai jisme apni shakti ka uchut istamal karne ka dimag aur hunar hota hai.

Yahan tumhe jitne chaho utne mouke milenge apni galti ko sudharne ke, par asli yudh me sirf ek.shatru tumhare suvidha ke hisab se tumpe aakraman nahi karega.isiliye tumhe har tarah ki chunouti ke liye taiyar rehna chahiye.ab utho, jitna girna pade giro.giro,fir utho, giro ,fir utho,aur tab tak utho jab tak tumhara lakshya pura nahi ho jaata.Khud par bharosa rakho,aur apna lakshya pura karo.

Ab maine bhi thaan liya tha, ki chahe jitna waqt lage, jab tak ye task pura nahi karunga, chain se nahi baithunga...

Fir kya tha, mai utha, aur lag gaya doudne.pehle 10,12 baar tak ka girna mujhe yaad raha par fir maine ginana chhod diya.mai lagbhag 3 ghante se doud raha tha, par abhi tak ek chakkar bhi pura nahi kar paaya tha.halki halki thakan bhi ab mujhe lagne lagi thi....par mai laga hua tha...aise hi ek baar fir reth me faskar mai AKSHAANTJI ke saamne gira.mai uthkar fir doudne hi waala tha ki....

AKSHAANT- ruko VIKRAM......

VIKRAM- ji guruji......

AKSHAANT- pehle bhojan kar lo..fir prayas karna.....

MAI- ek do baar aur koshish kar leta hun guruji

AKSHAANT- vivek se kaam lo VIKRAM.khali pet tum ekaagra nahi reh paoge......

Subah se laga hua tha,Ab bhuk toh mujhe bhi lagi thi........MAI- jaisa aap kahen guruji. Fir humne lunch kiya aur mai lag gaya apni training me...mai din bhar laga raha.ek baar toh pura chakkar bhi bina kahin fase pura bhi kar liya tha par fir dusre round me cement me fas gaya aur wapas starting line pe...ab shaam dhal chuki thi,par mai sab kuch bhul kar laga hua tha.

AKSHAANT- rook jao VIKRAM......aaj ke liye itna kaafi hai.kal dobara prayas karna.

MAI- par guruji, abhi tak mai safal nahi hua hun.

AKSHAANT- jaanta hun VIKRAM. par maine ye toh nahi kaha tha ki ye viniyog ( task ) tumhe aaj hi pura karna hai. Kal taro taaza hokar fir se prayatn karna.waise bhi tum kaho ya na kaho, saaf dikh raha hai ki tum kaafi thak chuke ho.sharir aur mastishk dono ko aaram dena bhi ati awashyak hai..

MAI- theek hai guruji. Jaisa aap kahen....
Waise guruji ki baat sach thi, zindagi me pehli baar mai thaka hua tha,wo bhi buri tarike se....

AKSHAANTJI ne kuch mantra padhe.wo jagah firse jungle me badal gayi.AKSHAANTJI aage chal diye...
mai bhi guruji ke peeche peeche chal diya.....par mai kaafi udas tha.ye pehli baar tha jab mai koi task me fail hua tha.....ye baat AKSHAANTJI ne shayad notice kar li....

AKSHAANT- VIKRAM, ek baat yaad rakhna. Zindagi me jeetna jitna aawashyak hai, haarna bhi utna hi mahatvapurn hai...agar tum haaroge nahi toh khudko ajay maanene lagoge.aur nischit hi ek na ek din bohot buri tarah haaroge jo tumhare manobal ko puri tarah tod dega.haarne se humare andar ki udarta jeevit rahti hai.parajay hume aur aage badhne ke liye prerit karta hai.isiliye nirash na ho.isse haar nahi ek aur mouka samjho punah jeetne ka.waise ek baat bataun,shayad tumhara manobal turant hi lout aaye...

MAI- kaun si baat gurudev?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



AKSHAANT- tumne aaj maidan ka ek chakkar safaltapurvak pura kiya hai. Mujhe ye karne me 6 mahine lage the.

MAI- kya!!!! Nahi guruji.bas aap mujhe khush karne ke kiye ye keh rahe hain....

AKSHAANT- nahi VIKRAM. Prashikshan ke maamle me mai kabhi jhooth nahi bolta.

Sach me ye baat sunke mai bohot khush ho gaya.mai aur AKSHAANTJI fir pahadi ki choti ki taraf chal diye.....

Shaam dhal rahi thi.hamare upar pahunchne tak andhera ho chuka tha.tents ke saamne hi SHAILA aag jalakar baithi hui thi.gurudev kahin nazar nahi aa rahe the....hum SHAILA ke paas ja kar baith gaye.....meri haalat puri patli ho gayi thi.mujhse toh baitha bhi nahi jaa raha tha. SHAILA ko meri haalat dekhkar hasi aa gayi.....

SHAILA- waah, kya lag rahe ho VIKRAM.......ekdum taro taza..

MAI- aisa lag raha hai jaise 7 janmo ka kaam ek din me kar diya hai maine..

Meri is baat pe SHAILA aur AKSHAANT dono hi has diye.

AKSHAANT- vikram tum jaakar kuch der aaram karo.mai bhojan tumhare patwas me hi le aata hun.

MAI- thank you guruji.....mai jaise taise uthkar apne tent me pahuncha aur flat ho gaya.

SHAILA-toh, kaisa raha fir aaj ka prashikshan..!!!!

AKSHAANT- bohot acha...

SHAILA- kya karwaya fir aaj....

AKSHAANT- MATIBHRAM VASUMATI.....

AKSHAANT ke aisa bolte hi SHAILA ki ankhen fati ki fati reh gayi....

SHAILA- kya!!!! Tum pagal ho gaye ho kya.maana ki VIKRAM thoda alag hai, tez hai,par iska ye arth toh nahi ki usse itna kathin karya diya jaaye,wo bhi pehle hi din. MATIBHRAM VASUMATI toh BAL CHHAL prashikshan ka choutha sthar (level) hai.wahan tak pahunchne ke liye hi tumhe 5 varsh lag gaye the.aur paar karne me 3 varsh.4 baar toh tumhari jaan jaate jaate bachi thi aur tum pehle hi din usse ......


AKSHAANT- shaant SHAILA shaant. Mujhe pata hai BAL CHHAL kya chiz hai.par tum hi batao, humare paas chara hi kya hai.mere paas sirf ek hafta hai usse nipun banane ke liye. Aur baat sirf itni hi nahi hai, pata nahi mujhe aisa lagta hai jaise VIKRAM ye namumkin karya bhi kar lega.uski urja maine mehsoos ki hai SHAILA, aur yakin maano maine aisa pehle kabhi mehsoos nahi kiya.pata hai VIKRAM ne maidan ka ek chakkar pura bhi kar liya.

SHAILA- adbhut.......ye toh kamal ho gaya.

AKSHAANT- haan.aur mujhe lagta hai VIKRAM is chunouti ko bhi paar lega.

SHAILA- kya uska mukabala ROOPANTARAN yantra se hua?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



AKSHAANT- nahi,abhi nahi.tumhe toh pata hai ROOPANTARAN yantra kaise kaam karta hai.par mujhe lagta hai kal mukabla zaroor hoga.....

SHAILA- mai bhi kal chalungi tum dono ke saath....

AKSHAANT- thik hai. Tum baitho.mai VIKRAM ko bhojan dekar aaya.

AKSHAANT ne mujhe aakar jagaya.uske haath me khana tha.mera badan bohot dukh raha tha.mai jaise taise utha aur bhojan kiya, aur wapas let gaya.abhi mujhe lete kuch hi der hue tha ki GURUDEV andar aaye.


WAHIN DUSRI TARAF:-


DIGVIJAY ko abhyas karte hue pure 3 din ho gaye the....ek baat batana toh mai bhool hi gaya, MIRROR WORLD me na bhook lagti hai, na pyas isiliye DIGVIJAY bhi nahi thaka tha.wo bas lagatar us diwal ko bhedne ki koshish karta raha aur kaafi had tak kamiyab bhi hua tha.uske kuch waar se wo diwal kayi baar aadhi se zyada tooti thi,par firse jud jaati thi.....

DIGVIJAY- saala ye diwal bhi AMBUJA CEMENT se toh nahi bana hai,toottha hi nahi....abhi DIGVIJAY koi aur prayas karta ki wahan DHANUR prakat hue.....

DHANUR ko dekhkar DIGVIJAY ne unhe naman kiya.

DHANUR- atti uttam putra.tumhara prayas,tumhari dridhta sarahaniya hai.

DIGVIJAY- kintu guruwar,abhi tak mai safal nahi hua hun.

DHANUR- par tumne haar nahi maani.yahi ek mahan yodha ki nishani hai.tumhe pata hai tumse galti kahan ho rahi hai!!!

DIGVIJAY- nahi guruwar....

DHANUR- tum waar toh pure man se kar rahe ho,kintu tumhare shashtro me se urja kam nikal rahi rahi hai.koi bhi prahar karne se pehle apne shashtra ko apni taakat do.aisa samjho ki tum us diwal pe koi shashtra se nahi balki apne sharir se waar kar rahe ho.ab punah prayas karo.......

DIGVIJAY ne firse teer dhanush ka awahan kiya.

Teer ko apne maathe me rakh kar kaha SHASHTRA YAMAKAM.teer ke double hote hi DIGVIJAY ne apni aankhen band ki aur apne pure sharir ki urja apne haathon ko dene laga.

PURVAPARI BHAVATI.


mantra ke saath teer diwal ki taraf teevr gati se badh gaya aur BOOOOOOMMMMMM............

Ek zor ka dhamaka hua,aur pura diwal nasht ho gaya.

DHANUR- atti uttam putra.......

Tumne apne shiksha ka pehla charan pura kiya.dusra charan aarambh karen.

DIGVIJAY- ji guruwar......

DHANUR- astra aur shashtra me kya fark hai....
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png



DIGVIJAY- shastra vo hathiyar hai jo hum apne haathon se chalate hain.astra ko hum mantron ki shakti se istemal karte hain...

DHANUR- atti uttam.aur aise kaun se astra hain jo atti shaktishali hain.hum unhe har roz dekhte bhi hain par unki shakti ko mehsoos nahi kar paate.

DIGVIJAY- shama karen guruwar.mujhe nahi pata......

DHANUR- dharti aur aakash......inse zyada shakti hame koi nahi de sakta.yahi hai tumhare prashikshan ka doosra charan.tumhe kisi bhi shashtra ka istemaal karte waqt usse dharti ya aakash ke shakti ke saath jodkar prahar karna sikhna hai.is vidhya se tumhare waar ko rokna lagbhag asambhav ho jayega.kintu yaad rahe jitni prabal tumhari icha shakti hogi utni hi shakti tum dharti se ya akash se le sakte ho.

Dharti se shakti lene ke liye tumhe " DHARTIYEM NIRAVDHAYATI" is mantra ka awaahan karna hai......

Aur akash se shakti lene ke liye " GAGANAM NIRAVDHAYATI" is mantra ka awaahan karna hai.......

Chalo pehle dhyan awasta me baith kar in dono mantro ka awahan karo.jab tumhe lage ki tum inka istamal ab apne shashtron ke saath kar sakte ho tab abhyas aarambh karna....


DIGVIJAY bhi DHANUR ka ashirwaad lekar baith gaya dhyaan lagane.........


BACK TO HERO:-

Abhi mujhe lete kuch hi waqt hua tha ki GURUDEV andar aaye.......unke haath me kuch tha.

MAI- namashkar gurudev....

BABA VISHAKHT- chiranjeevi bhav.......
Ye lo putra.isse pee jao.tumhari saari thakavat door ho jayegi.

Mai bina koi sawaal puche gurudev jo drink jaisa kuch laaye the, pee gaya...

BABA VISHAKHT- kuch hi der me tum halka mehsoos karoge.putra tumne aaj bohot acha abhyas kiya.mai tumse bohot prassan hun isiliye tumhe kuch dena chahta hun..

MAI- kya gurudev?
nbnQxGxaAfwHAzhfSeLZ.png

?

Gurudev ne apna daaya haath aage kiya. ek book prakat hua.

BABA VISHAKHT- ye lo putr.ye kitab rakho.bhavishya me ye tumhare bohot kaam aayegi.ab tum aaram karo.meri bina koi baat sune gurudev bahar chale gaye..

Book kaafi moti thi aur badi bhi.maine book ke upar nazar daali jahan uska naam likha tha


"SHASTRA" (SUPRAGUPTA)........

"WEAPONS" (VERY SECRET).......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI VIKRAM NE APNE TRAINING KA DUSRA CHARAN START KAR DIYA HAI,WAHIN DIGVIJAY NE BHI APNA PEHLA TASK PURA KAR LIYA HAI.BABA VISHAKHT RAAT KO VIKRAM KE KAMRE ME AATE HAIN AUR USSE EK KITAAB DETE HAIN JISKA NAAM HAI SHASHTRA SUPRAGUPTA....
AB AAGE........






CHAPTER -1






( DEVIL'S ENCHANTMENT & THE HOLY SPIRIT )






UPDATE- 19




mai wapas starting line pe gira hua tha.mere saamne akshaantji aur shaila khade the.ek taraf jahan akshaantji ke chehre pe muskurahat thi wahin dusri taraf shaila ke chehre pe avishwas aur prashansha ke bhaav the aur hote bhi kyun naa aaj maine pure maidan ke do chakkar safaltapurvak paar jo kar liye the.abhi meri training ko start hue sirf ek ghanta hi hua tha aur maine ye kar dikhaya tha.yahi nahi aaj subah ki shuruat bhi meri achi rahi thi

AAJ SUBAH:-


GURUDEV- putra....kal raat jo maine tumhe drav diya tha, ab wo tumhe nahi milega.tum dekh hi rahe ho pehli baar kal tumhe itni thakan aur dard mehsoos hui.ye toh bas shuruat hai,aage aur bhi kathinayi aayegi.

mai toh ye sunkar hi thoda nervous ho gaya tha ki kal raat waala drink firse nahi milega,kyunki wo drink wakayi kamal ka tha.usse peene ke kuch hi minuton me mujhe acha lagne laga tha.maine socha tha ki ab koi tention nahi hogi,chaahe jitni bhi hard training ho,jam ke mehnat karunga aur raat ko wo drink pilunga jisse saari thakan,saara dard mit jaayega.par baba ne toh wo drink dene se hi mana kar diya isiliye mai nirash ho gaya tha.

BABA VISHAKHT- mayus na ho putra.aagar tum lagatar us drav ka sevan karoge toh uske aadi ho jaoge,jo achi baat nahi hai.waise bhi ye toh bas prashikshan hai,asli yudh me tumhe vishraam karne ka waqt hi nahi milega,fir kaise tum apni thakan mitaoge aur
dard sahoge!!!!

MAI- iska koi upay gurudev!!!

BABA VISHAKHT- yog putra yog....yog aur dhyan se na sirf hamare dimag ka vikas hota hai balki yog hamare har dukh ka nivaran bhi hai....aaj mai tumhe yahi sikhaunga......

aaj jab tum dhyan awastha me apne chit ko firse us roshni ke kareeb le jao,tab apne indriyon ko apne sharir se jodne ki koshish karna,isse tumhari koshikayon ko mazbooti milegi.jitna tum us roshni ke sameep rahoge,tumhari aantarik shakti ka vikas hoga.isse tum adhik se adhik parishram bina kisi thakawat ke kar paaoge aur dard ka ehsaas bhi kam ho jayega.

jaisa gurudev ne kaha tha maine waisa hi kiya.jab mera dhyan tuta toh mujhe kal ke mukable aaj apne andar kuch zyada hi taakat aur urja mehsoos ho rahi thi aur ye mere aaj subah ke running practice me dikh bhi gayi.aaj mai akshaantji ke barabar tez doud raha tha.ye dekhkar akshaantji bhi kaafi surprise ho gaye the.fir mai aur akshaantji nikal pade apne prashikshan waali jagah ki aur.raaste me hume shaila dikhi jo apna abhyas kar rahi thi.hume jata dekh wo bhi hamare saath chal padi........

wahan pahunchkar akshaantji ne kal waala mahoul ban diya aur mai lag gaya apni training me.kuch der tak toh mera kal jaisa hi haal raha,par aaj meri sochne samajhne aur faisle lene ki shakti me bhi tezi aayi thi.dekhte hi dekhte 1 ghante me hi maine 2 chakkar safalta purvak maar liye par issi khushi me apna concentration level kho diya aur DHAAAMMMMMMMM....cement me phas gaya aur back to start...

BACK TO PRESENT:-

SHAILA- kya baat hai VIKRAM!!! kal jab akshaant ne bataya tha ki tumne ek chakkar pura kar liya hai toh mujhe yakin hi nahi hua tha.par aaj toh tumne ek nahi do do chakkar pure kar liye...

AKSHAANT- haan, par apni ekagrata kho di.VIKRAM,utsah achi baat hai,par uska bhi ek sahi waqt hota hai.tumhara lakshya 2,3,4 chakkar nahi pure 5 chakkar pura karna hai.tabhi tumhari jeet hogi.usse pehle utsah se bharkar apni ekagrata khona sahi nahi hai.

mujhe bhi apni bhool ka ehsaas ho gaya tha.

MAI- maaf karen guruji.ab mai dhyan dunga.

AKSHAANT- koi baat nahi.jao punah koshish karo.

issi ke saath mai lag gaya firse.wahin SHAILA bohot utsahit hokar mujhe dekh rahi thi.meri speed dekhkar wo baar baar shock ho jaati thi.

SHAILA- iski gati samay ke saath badhti hi jaa rahi hai.

AKSHAANT- haan,mujhe andar se abhaas ho raha hai ki ye ek din bramhaand me sabse gatisheel hoga.

SHAILA- sirf,utna hi nahi.muhje lagta hai ki ye har vidhya sikhne ke kaabil hai.

AKSHAANT- hmm.,dekhte hain.

idhar mai pure josh ke saath doude jaa raha tha is baar bhi maine 2 rounds aaram se paar kar liye.3rd bhi complete hone hi waala tha ki last reth ke me fas gaya.


maine apni aankhen band ki.pura maidan mujhe dikhne laga.ye bhi ek gift tha jo mujhe dhyan me baithne se mila tha.mai har jagah ko jo pehle se dekh chuka hun,usse dhyaan ki awastha me na sirf dekh sakta tha balki us sthaan me kab kya hota hai wo bhi samjh sakta tha.abhi mai wahi kar raha tha.

ye sab mai starting point par hi kar raha tha,jahan akshaant aur shaila dono khade the.abhi dono kuch kehte usse pehle hi maine aakhen khol di aur laga di daud.maine kahan galti ki hai,wo sab mujhe pata chal chuka tha...

meri gati aur bhi tez ho chuki thi.....meri raftaar dekh shaila aur akshaant stabdh reh gaye.abhi dono aur kuch samajh paate,usse pehle hi maine 4 rounds paar kar liye the............ ye mera aakhri round tha.akshaant aur shaila dono ki hi aankhon me vismay aur prasannata ke bhaav the.mai apne target ko pura karne ke bohot hi kareeb tha.bas ek cement trap aur ek reth trap uske baad mera target pura.

is khushi me mai,yahan tak ki akshaant aur shaila bhi asli problem bhool chuke the.

''ROOPANTARAN YANTRA''


ye mera aakhri hurdle tha. maine badi aasani se cement trap paar kar liya aur reth trap ki aur badha. reth ke upar apna wazan kam rakh ke paar hone hi waala tha ki BOOOOOMMMMMM...ek zor ka dhamaka hua.
dhamaka itna bada tha ki upar jo kalpanik akash bana tha wo tak hil gaya.....

mai udta hua ek cement trap ke upar me gira.us trap ne mujhe apne andar kheech liya aur mai wapas starting point me.akshaant aur shaila toh dhamake ke baad jo saamne aaya usse hi fati aankhon se dekh rahe the.

idhar mujhe kaafi chot aayi thi.mai girte hi behosh ho gaya tha par kyunki mere cells kafi active ho chuke the,mujhe kuch hi palon me hosh aa gaya.....maine apne aap ko starting point me dekha toh mai firse nirash ho gaya.maine aaju baaju dekha toh akshaant aur shaila khade the.maine unhe aawaz di par wo toh ek tak saamne dekh rahe the.maine unki nazar ka peecha kiya aur saamne dekha toh meri haalat un dono se bhi kharaab ho gayi......

MAI- OHHHH TERIKI.......ye kahan se aaya!!!

tab mujhe ROOPANTARAN YANTRA yaad aaya.


MAI- ye kya roop le liya isne.isse ladna padega mujhe..........maine akshaant ki taraf dekha toh paaya ki dono hi mujhe dekh rahe hain...wo bhi taras bhari nazaron se.....

MAI- kya mujhe isse ladna padega?

akshaant ne bas haan me mundi hiladi....

MAI- ye kya mazak hai.nahi ladna mujhe isse.

AKSHAANT- tum piche nahi hat sakte VIKRAM.jab tak tum isse nahi ladte,hum is mayavi duniya se bahar nahi jaa sakte.

ab ye kya bakar hai yaar.isse ladne ke baad bachunga hi kahan jo bahar niklunga!!!!ajeeb pareshani thi.par tention me sirf mai hi nahi tha.ye dono bhi the.

akshaant ne bhi ye chakravyun toda tha.RUPANTARAN yantra ka saamna kiya tha.par YANTRA ne aaj tak jab bhi roop badla tha toh kisi saand ka ya kisi gende ka,kabhi kisi chote danav ka toh kabhi zyada se zyada devils ka.par abhi jo hamare saamne tha aisa kabhi kisi matibhram maidan me nahi hua tha.

is waqt hamare saamne ek 100 feet se zyada lamba SAANP tha.


jiske fun se laar jaisa kuch nikal kar gir raha tha.jahan jahan wo laar gir raha tha us jagah se dhuaan nikal raha tha.........

WAHIN DUSRI TARAF:-

2 pahar aur beet chuke the. pehle pahar me DIGVIJAY ne DHARTIYEM NIRAVDHAYATI mantra ka awahan kiya tha aur dusre pahar me GAGANAM NIRAVDHAYATI ka....DIGVIJAY ko apne andar DHARTI aur AKASH dono ki hi shaktiyon ka abhaas ho raha tha.jab usse laga ki ab wo taiyar hai toh usne apni aankhen khol di....

DIGVIJAY- ab mujhe apni shakti parakhni chahiye.dekhun toh ye dono mantra kitne taakatwar hain......



YUDH VISPRADHA.....DIGVIJAY ke ye bolte hi wahan 10 ranshoor ( warriors ) prakat hue.....hathe kathe 6.5 feet ke ranshoor.sabhi ke ek haath me talwar aur dusre me alag alag hathiyar the.wo sabhi DIGVIJAY ki taraf badhne lage.DIGVIJAY bhi TAIYAR THA.

DIGVIJAY ne apne haath aage kiye.uske haath me ek talwar chamakne lagi.DIGVIJAY ne dharti ka awahan kiya aur kaha PRATIGHAATH.........MITTI ke rang ki roshni nikli aur sabhi WARRIORS pe padi.ek zor ka blast hua aur wo roshni sabhi ke sharir ke aar paar ho gayi.sabhi warriors gir gaye.

DIGVIJAY ki khushi ka thikana nahi tha.par ye khushi zyada der tak nahi tiki kyunki warriors firse khade ho gaye aur is baar unki lambai aur zyada ho gayi.wo sab ek saath milkar DIGVIJAY par aakraman karne lage.DIGVIJAY bhi kam nahi tha.uski talwar akele hi sabhi warriors ke prahar ko rok rahi thi.par DIGVIJAY khud attack nahi kar pa raha tha.

warriors ki speed itni zyada thi ki DIGVIJAY ko waqt hi nahi mil raha tha attack karne ka... achanak warriors ki speed aur badh gayi.ab DIGVIJAY ke liye ye attack rokna mushkil ho gaya tha.achanak ek warrior jiske ek haath me gadaa tha DIGVIJAY ke peeth par laga.DIGVIJAY udte hue door jaa gira.

DIGVIJAY ne jab saamne dekha toh sabhi warriors uski taraf aa rahe the..

DIGVIJAY- saala ye toh rukne ka naam hi nahi le rahe hain.aisa hi chalta raha toh ye sab toh meri chatni hi bana denge.kya karun!!!!!!! haan.......DIGVIJAY ne aakash ka awahan kiya aur kaha PRATIGHATH....DIGVIJAY ke haathon se bijli nikli aur sabhi warriors pe padi.bijli sabhike seene ke aar paar ho gayi.sabhi warriors gir gaye.


DIGVIJAY- HAAASHHHH...bach gaya.par ye shanti bas kuch pal ke liye hi thi.sabhi warriors firse khade ho gaye.is baar wo sab aur lambe choude ho gaye the.ab DIGVIJAY ki fati.warrior ne DIGVIJAY par humla karna shuru kar diya tha.is baar wo sab aur tez ho gaye the.DIGVIJAY unke hamle sambhal nahi paa raha tha......

AHHHHHHH.ek warrior ne talwar chalai jo sidhe DIGVIJAY ke daayen kandhen par lagi aur DIGIJAY ki cheekh nikal gayi....par warriors yahin par nahi ruke aur lagatar DIGVIJAY par hamla karte rahe.

kuch hi der me DIGVIJAY ki haalat patli ho gayi.sharir ka aisa koi hissa nahi bacha tha jahan uspe waar nahi hua tha.har jagah se khoon nikal raha tha.DIGVIJAY ko apna anth saamne dikh raha tha.itne me ek warrior ne apni talwar chalai jiska nishana DIGVIJAY ki gardan thi.DIGVIJAY ke paas itni shakti nahi bachi thi ki us waar ko rok paaye.wo chupchaap pada raha.



KADKADKADKADDDDDD......ek zordar aawaz ek saath bijli kadki aur sabhi warriors pe padi.sabhi warriors raakh ban gaye.

ek aur baar bijli kadki aur uske beech se DHANUR nikale aur DIGVIJAY ke saamne khade ho gaye.isse aage DIGVIJAY nahi dekh paaya aur behosh ho gaya.........

WAHIN DUSRI TARAF:-





''DHAWALGARH''................. yaad hai ki nahi.........arre apne hero ki mom MINAKSHI jji ka maika..........

subah ke 4 baj rahe hain........
ek aalishan mahal jaise ghar ke ek bedroom me ek ladki soyi hui hai.uske chehre pe ek halki si muskurahat hai jo KAAMDEV tak ka dil chura le....itni khoobsurat ladki jiski taarif ke liye shayad koi shayri,koi kavita ya koi geet hi nahi bani......

par ye muskura kyun rahi hai.chaliye iske sapne ko bhi dekh lete hain.wo ladki ek khoobsurat garden me hai aur bas chali jaa rahi hai.....achanak usse koi peeche se awaaz deta hai.par ye kya wo ladki palat hi nahi paa rahi hai.wo bohot koshish karti hai par palat nahi paati.usse lag raha tha jaise usse koi rok raha hai palatne se.itne me ek awaaz uske kaano me padti hai.


PUTRI, ABHI SAHI SAMAY NAHI AAYA HAI TERA USSE MILNE KA.......

iss awaaz ke saath us ladki ki aankhen khul jaati hai.......wo uth ke baith jaati hai.


us ladki ka naam hai





''AVANTIKA''
 

Top